❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
*SHAHADAT- E- HUSAIN*
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
*PART - 01*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ Muharramul Haraam Fazail v Masail ▣*
*※_ Muharram Ki Haqeeqat _※*
*◈_ Sabse pehle baat yaha se chalti he k ye Mahina muazzam v mohatram he ya Manhoos?? Baaz log ise manhoos samajhte hai’n aur vajah iski ye he k inke nazdeek shahadat bahut buri aur manhoos cheez he aur chuki Hazrat Husain Rd. Ki shahadat isme hui he isliye isme koi takreeb aur khushi ka kaam shadi, nikah vagerah nahi karte,*
*◈_ iske bar-aks musalmano ke yaha ye mahina mohatram, muazzam aur fazilat wala he,*
*◈ _Moharram ke ma’ani hi mohatram, muazzam aur muqaddas ke he, Aam tor per ye khayal kiya jata he k is mahine ko isliye fazilat mili k Hazrat Husain Rd ki shahadat is me hui, ye galat he, is mahine ki fazilat islaam se bhi pehle se he,*
*◈_ Bani israa’il ko Hazrat Musa Alayhissalam ke saath Fir’on se isi din me nijaat hui, is ni’amat ke Adaa’e shukr ke tor per is din ke Roza ka hukm hua, aur bhi Bahut si fazilat ki cheeze isme hui hai’n, Albatta yu kahenge k Hazrat Husain Rd ki shahadat me zyada fazilat isliye hui k ese fazilat wale maah me waqa’i hui,*
*◈_ Jab ye sabit hua k ye mahina aur din afzal he to is me nek kaam bahut zyada karne chahiye, Nikah vagerah , Khushi ki taqribaat bhi isme zyada karni chahiye, isse shadi me barkat hogi lekin ye buri baat isliye samjhi Jati rahi hai k bahut Dino se ye galat baate koot koot kar dil me bhari hui he, 100 saal ka kufr bhara hua jaldi se nahi nikalta, wo nikalte hi nikalta he,*
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
*▣ Muharramul Haraam Fazail v Masail ▣* ◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 9 aur 10 Muharram ka Roza -,※*
*◈_ Sahih Bukhari me Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Janabe Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Madina Tayyaba me tashrif laye to yahood ko dekha k wo is din ko roza rakha karte Hai’n,*
*⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,-” Tum roza kyu rakhte ho?*
*kehne lage, ye bahut achchha din he, is din me Haq Ta’ala ne bani israa’il ko unke dushman Firon se nijaat di thi, isliye Hazrat Musa Alayhissalam ne is din ka roza rakha,*
*⇨ ye sunkar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,-” k hum banisbat tumhare Hazrat Musa Alaihissalam ki muvafqat ke zyada haqdaar hai’n,*
*⇨ Fir Asp Sallallahu Alaihivasallam ne khud bhi roza rakha aur Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ko bhi is din Roze ka hukm diya,*
*®_ Sahih Bukhari,*
*◈_ Sahih Muslim me Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat he k,*
*→ Ramzaan ke baad afzal roza Muharram ka he, aur Farz namaz ke baad afzal namaz tahajjud ki namaz he,*
*®_ Sahih Muslim,*
*◈_ Huzur Aqdas Sallallahu Alayhivasallam ki hayaate tayyaba me jab bhi Ashura ka din aata Aap Sallallahu Alaihivasallam Roza rakhte lekin wafaat se pehle Jo Ashura ka din aaya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ashura ka roza rakha aur saath hi ye bhi irshad farmaya k ,*
*→10 Muharram ko hum bhi roza rakhte hai’n aur Yahood bhi roza rakhte hai’n, jiski vajah se unke saath halki mushabhat paida ho jati he, isliye agar Mai’n aa’inda saal zinda raha to sirf Ashura ka roza nahi rakhunga balki uske saath ek roza aur mila’unga, 9 Muharram ka roza bhi rakhunga taki Yahoodiyo’n ke saath mushabhat khatm ho jaye,*
*→Lekin agle saal Ashura ka din aane se pehle Huzur Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka visaal ho gaya aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ko is per amal ka mauka nahi mila,*
*→ lekin chunki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye baat irshad farma di thi isliye Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne Ashura ke roze me is baat ka ahatmam kiya aur 9 ya 11 Muharram ka ek roza aur mila kar rakha, aur isko mustahab qaraar diya aur tanha Ashura ka roza rakhne ko Huzur Sallallahu Alaihivasallam ke irshad ki roshni me makrooh tanzihi aur khilafe aula qaraar diya,*
*◈_ Rasoole Akram Sallallahu Alyhivasallam ke is irshad me hume ek sabaq aur mila k ,→gair muslimo’n ke saath adna mushabhat bhi Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne pasand nahi farmayi,*
*→halanki wo mushabhat kisi bure aur najaa’iz kaam me nahi thi balki ek ibadat me mushabhat thi k is din Jo ibadat wo kar rahe hai’n, usi din hum bhi wahi ibadat kar rahe hai’n, lekin Aap Sallallahu Alaihivasallam ne isko bhi pasand nahi farmaya, -kyu?→ isliye k Allah ta’ala ne musalmano ko jo deen ataa farmaya he wo saare Deeno se mumtaaz he,*
*◈_ Jab ibadat, bandgi aur neki ke kaam me bhi Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne mushabhat pasand nahi farmayi to aur kaamo me musalman agar unki mushabhat akhtyar kare to kitni buri baat hogi,*
*→agar ye mushabhat jaan boojhkar is maqsad se akhtyar ki jaye k un jesa nazar aaou’n to ye Gunahe Kabeera he,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ _10 Muharram me pesh aane wale waq’aat ※*
*◈ 1- Hazrat Aadam Alaihissalam ki tauba ki Maqbuliyat,*
*◈ 2- Firon se Hazrat Musa Alaihissalam.aur unki qaum ki nijaat,*
*◈ 3- Kashti e Nooh Alaihissalam isi din Jodi pahaad per thehri,*
*◈ 4- Hazrat Yunus Alaihissalam isi din Machhli ke pet se bahar aaYe,*
*◈ 5- Hazrat Yusuf Alaihissalam ka Kunve ( well ) se nikalna,*
*◈ 6- Hazrat Isa Alaihissalam ki wiladat aur Aasmano per uthaya Jana,*
*◈ 7- Hazrat Daoud Alaihissalam ki tauba,*
*◈ 8- Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki wiladat,*
*◈ 9- Haztat Ya’aqoob Alaihissalam ki binaa’i ka lautna,*
*◈_10- isi din Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki agli pichhli lagzishe Haq Ta’aala ne maaf kar di, ( Halanki Aap Sallallahu Alaihissalam masoom aur Bakhshe Bakhshaye they, Aapse Kabhi koi Bhool Kar bhi lagzish nahi hui )*
*● _Ye 10 Waq’aat Sharah Bukhari me hai’n, iske alawa baaz kutub me aur bade bade waq’aat ko shumaar kiya he Jo Ashura ke din hue, chand ye hai’n –*
*◈1- Hazrat Aadam Alaihissalam ka nabuwat ke liye muntkhab hona,*
*◈ 2- Hazrat Idrees Alaihissalam ka Aasmano ki taraf uthaya Jana,*
*◈ 3- Haq Ta’aala ka Hazrat Ibrahim Alaihissalam ko khalifa banana,*
*◈ 4- Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ka Hazrat Khadija RaZiyallahu anha se Nikah bhi isi din hua,*
*◈ 5- isi din Qayamat qaa’im hogi,*
*◈ 6- is din me Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu anhu ki shahadat ka waq’aa pesh aaya,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_ Ahal v Ayaal per Vus’at _※*
*◈_ Imaam Bahiqi Rh ne Hadees bayaan farmayi he k Janabe Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,*
*”_ Jo shakhs Ashura ke din Ahal v Ayaal per vus’at karega Allah ta’ala saare saal farakh rozi ataa farmata he,”*
*⇨ Hadees ke Raavi Hazrat Sufiyan bin Ayniyah Rd farmate hai’n k humne Tajurba kiya he isko durust paya he, magar isko zaroori na samjhe aur na had se zyada ahatmam kare aur jab Ahal v Ayaal per vus’at kare to gareeb hamsaya( Padosi ) ke yaha bhi bhejo,*
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
*▣ Muharram aur Ashura Ke Din ▣*
*▣ Na-jaa’iz Kaam ▣* ◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ (1)- Maatam, Noha, karna aur Sog Manana ▣*
*◈_ Maahe Muharram ko baaz log manhoos Mahina samajhte hai’n halanki ( jesa pehle guzar chuka) ye Mahina Mubarak he, bade bade azeem waq’aat is maah me pesh aaye hai’n,*
*◈_ Kai log is maah me khususan Ashura ke din Maatam karte hai’n, aur gam ka izhaar karte hai’n, ye gunah he, islaam hume sabr aur istqamat ki taleem deta he, zor zor se rona peetna, kapde faadna, chhatiyo ko peetna, islami talimaat se koso door he,*
*⇨ Islaam ka hukm ye he k kisi ke marne se 3 din ke baad gam ka izhaar na Karo aur na hi sog mana’o, sirf Aurat apne shohar ke marne ke baad 4 maah 10 din sog manaye, Shohar ke alawa kisi aur ka chahe wo baap ho, bhai ho ya beta 3 din se zyada sog manana jaa’iz nahi,*
*◈_ Sahih Bukhari ki hadees he k Ummul Momineen Hazrat Umme Habiba Raziyallahu anha ko apne walid ki wafaat ki khabar pahunchi to 3 din ke baad khushbu mangayi aur chehre ko lagayi aur farmaya-*
*→ K mujhe iski zaroorat nahi thi ( kyuki budi ho chuki thi aur khawind yani Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat ho chuki thi) lekin mene baap ka sog khatm karne ke liye khushbu lagayi Kyunki mene Huzur Sallallahu Alaihivasallam se suna k kisi musalman Aurat ke liye 3 din se zyada sog manana jaa’iz nahi,*
*⇨ is Hadees Mubarak se maloom hua k 3 din se zyada sog Manana jaa’iz nahi, baaz log Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ka Sog manate hai’n, Muharram me achchhe kapde nahi pehante, bivi ke qareeb nahi jate, charpaio’n ko ulta kar dete hai’n vagera vagera,*
*⇨ halanki Hazrat Husain RaZiyallahu Anhu ki shahadat ko taqriban 1400 saal se bhi zyada ho chuke, ye na-waqfiyat ki baate hai’n,*
*◈_Allah ta’ala hum sabko hidayat per rakhe,(Ameen ya rabbul alameen), ※*
*▣ 2– Isaale Sawab ke Liye Khana Pakana ▣*
*◈_ Muharram ke mahine me bil khusoos 9 vi, 10 vi aur 11 vi Tareekh me khana paka kar Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki rooh ko isaale sawab karte hai’n,*
*◈_ Isaale sawab ka sabse afzal tareeqa ye he k apni haisiyat ke mutabik naqad rakam kisi khair ke kaam me laga de ya kisi mohtaz miskeen ko de de,*
*⇨ ye tareeqa isliye afzal he k isse miskeen apni har haajat puri kar sakega aur aaj use koi zarurat nahi to kal ki zarurat ke liye rakh sakta he, ye Surat dikhawe se bhi paak he,*
*◈_ Hadees Paak me makhfi( secret) sadqa dene wale ki ye fazilat warid hui he k ese shakhs ko Allah ta’ala baroze qayamat arsh ke saaye me jagah inayat farmaenge jabki koi aur saaya na hoga aur shadeed garmi se log pasino me gark ho rahe honge,*
*◈_ Fazilat ke lihaaz se doosre darje per ye Surat he k miskeen ki haajat ke mutabik sadqa diya jaye yani uski zarurat ko dekh kar use poora kiya jaye,*
*※Ye isaale sawab ki sahi surate’n hai’n,※*
*▣ (3)- 10 vi Muharram ki Chhutti ▣*
*◈_Kai log 10 vi Muharram ki chutti karna zaroori samajhte hai’n aur isko Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki shahadat ka sog samajhte hai’n,*
*⇨ halanki 3 din ke baad sog manana jaa’iz nahi he aur shari’at ne kisi bhi din bhi kaam kaaj karne se mana nahi kiya, Namaze juma aur Namaze eid ke baad bhi apna karobaar kar sakte hai’n,*
*▣ (4)- Qabro ki Ziyarat ▣*
*◈_ Qabro’n ki ziyarat sawab he kyuki inko dekhne se maut yaad aati he magar is kaam ke liye 10 Muharram ko mukarrar karte hai’n aur saal me sirf isi din qabristan jate hai’n aur aage pichhe kabhi bhool kar bhi nahi jate, ye sahi nahi he,*
*◈_ kuchh log Ashura ke din qabro’n per sabz chhadiya’n rakhte hai’n aur ye samajhte hai’n k isse murde ka azaab tal jata he, is amal ke iltzam me bahut kharabiya he,*
*⇨ maslan gair laazim ko laazim samjha jata he, baaz log azaab tal jane ko laazmi khayal karte hai’n aur ye sahi nahi,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ _Qabro ki Ziyarat ke Masail, ▣*
*◈_ Qabro ke paas se Gujre to ”Assalamu Alaikum ya ahlal quboor” keh Lena chahiye,*
*◈_ Qabristan Jane ke liye koi din or koi khaas waqt ki taleem nahi di gayi, jab chahe ja sakte hai, lekin Qabristan Jane ka maqsad isaale sawab aur ibrat hasil karna ho,*
*◈_ Shabe Baraat Aur Jume ke din qabristan Jana sabit he,*
*◈_ Buzurgo ke mazaraat per Jana jaa’iz he lekin Mannat mangna, urs ya mele bharana, chadar chadana, Bakra zibah karna, Chadava chadana najaa’iz or haraam he,*
*◈ _Qabristan me Dua or Fateha ka Tareeka:-*
*◈_ Sabse pehle Salam karna,*
*◈_ Fir jis kadar mumkin ho unke liye DUA, Astagfar kare or Qurane Kareem padkar isaale sawab kare,*
*◈_ Baaz rivayaat me Surah fatiha, Surah Yaseen, Tabarakallazi, Zilzaal, Takasur, Surah IKHLAS, Ayatal kursi ki fazilate aayi he,*
*◈_ Qabr ki taraf moonh karke Dua na kare, Fatawa Aalamgeeri me (safa 350,jild 5) me likha he k Qabr per Fateha, isaale sawab ke liye DUA manage to Qabr ki taraf Rukh na kare balki Qabr ki taraf pusht kare or Qibla ki taraf moonh karke Dua manage,*
*◈_ Qabr per buland awaz se Qurane Kareem padna makrooh he, Ahista pad sakte hai,*
*◈_ Qabristan me Aurto’n ke Jane me ikhtilaf he,, sahi ye he k jawan Aurte’n hargiz na jaye, Budi ( old ) Aurte’n ja sakti he lekin waha koi khilafe shara koi kaam na kare to gunza’ish he,*
*⚀•RєԲ:➻┐ Aapke Masail aur Unka Hal, Jild -3,•*
◈
*. ◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ (5)– Majalis E Shahadat ※*
*◈_ Yaume Ashura ko yaume Shahadat Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu gumaan karna v Ahkaame Maatam v Noha girya v zaari v beqarari karna aur ghar ghar Majlise shahadat me shahadat nama ya wafaat nama bayan karna, khaaskar asal rivayaat ke khilaf, Ye haraam he,*
*◈_ Hadees Paak me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne marsiyo ( wafaat nama ) se mana farmaya he aur khilafe rivayat bayan karna sab avbaab me haraam he,*
*▣–(6)- Sabeel lagana, Sharbat, Khichda, taqseem karna ▣*
*◈_ Taqseeme sharbat, khichda, jisme riya, dikhawa ka khaas dakhal he, aur har gani ( rich) aur faqeer ko iska Lena aur isko tabarruk jaanna aur Jo na le usko bura samajhna, us per laan taan karna,Doodh, sharbat ki Sabeel lagana aur uske liye chanda karna aur na dene wale ko bura kehna, khaaskar in Dino me karna, Agar jaan boojhkar sawab ki niyat se karta he to ye Bid’at zalala he aur kisi aur Sadqaat ka Lena gani ( rich), ko makrooh he, aur Sayyad ko haraam he, aur na lene wale ko laan taan karna Fisq he,*
*➖Faqat Wallahu Aalam➖*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ (7)-Muharram me Shadi Na karna ※*
*◈ _Muharram, Safar aur Shaban me shadi na karna is aqeede per mubni he k yeh mahine Manhoos hai’n, islasm is nazariye ka qaa’il nahi,*
*◈_ Muharram me Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki shahadat hui he magar isse ye laazim nahi aata k is mahine me Aqd Nikaah mamnu’a ho gaya,*
*⇨ varna har mahine me kisi na kisi shakhsiyat ka visaal hua he, Jo Hazrat Husain Raziyallahu Anhu se bhi buzurgtar the,*
*⇨ isse ye laazim aayega k saal ke 12 mahino me kisi me bhi Nikaah na kiya jaye,*
*◈_ Fir shahadat ke mahine ko Sog v nahusat ka mahina samajhna bhi galat he,*
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
*▣ Munkiraat e Muharram ▣*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ (1)- Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko imaam kehne ki Kya Haisiyat he?? ※*
*◈_ Imaam ka lafz ahle haq ke yaha bhi istemal hota he aur Shiya ke yaha bhi,*
*⇨ Ahle haq ke yaha iske ma’ani Peshwa, Rehbar, aur Muqtada ke he,*
*⇨ Ahle Tashee’a ( Shiya log) ke yaha imaam aalimul gaib aur masoom hote hai’n, unke yaha imaam ka darja Nabiyo’n se bhi bada hota he,*
*◈_ Zahir he is lafz ( imaam) ke istemal me hum to wahi matlab malhooz rakhte hai’n Jo ahle haq ke yaha he, is etbaar se tamaam Sahaba Kiraam, Taba’ien, Auliya Allah aur Ulema imaam hai’n, isliye imaam Abu Bakar, imaam Umar, imaam Usman, imaam Ali, imaam Abu Haraira Raziyallahu Anhum kehna chahiye,*
*◈_ Rasulullah Sallahu Alaihivasallam ne farmaya:- ” Mere sab Sahaba sitaaro’n ki manind hai’n, ”*
*⇨Yani sab ke sab imaam hai’n, jiski chaho iqteda kar lo, har sitaare me roshni he, jisse chaho roshni haasil kar lo, is maa’ani me saare Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum imaam hai’n,*
*▣_ Sochne ki baat ye he k log imaam Abu Bakar nahi kehte, imaam Umar nahi kehte, imaam Hasan aur imaam Husain hi kehte hai’n,*
*⇨ Maloom hua k ye asar musalmano me kahi’n gair se aaya he, Shiyao’n ka asar musalmano me sarahat kar gaya, Agar ahle haq Ulema me se kisi ne in Hazraat ko imaam kaha he to unhone iske sahi maa’ani ( Peshwa, Rehbar aur muqtada) me imaam kaha he, magar isse mugaalta zaroor hota he isliye isse ahatraaz zaroori he,*
* ◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_( 2)- Alaihissalam ka itlaaq ※*
*◈_ Ese hi Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko Alaihissalam bhi wahi log kehte hai’n Jo unhe Ambiya Alaihissalam ka darja dete hai’n, isse bhi ahatraaz laazim he,*
*◈_ Jis tarah Raziyallahu Ta’aala anhu ke Dua’e kalamaat likhe aur kahe jaate hai’n, ese hi Dua’e kalamaat Hazraate Hasnain Raziyallahu anhum ke saath bhi likhe aur kahe jaye,*
*▣ (3)- Musalmano ke Naamo me Ahle Tashee’a ka Asar ▣*
*◈_ Musalmano ke naamo me bhi Shiyao’n ka asar paya jata he, maslan asal naam ke saath jis tarah mahaz tabarruk ke liye Muhammad. aur Ahmed milaane ka dastoor he, isi tarah Ali, Hasan, Husain milaya jata he, Siddiq, Farooq, Usman aur ya kisi aur Sahabi Ka naam bator tabarruk asal naam ke saath milane ka dastoor nahi,*
*⇨ Nisbate gulami bhi Hazrat Ali, Hazrat Hasan, Hazrat Husain Raziyallahu Anhum ki taraf to ki jati he magar aur kisi Sahabi ki taraf nahi ki jati,*
*⇨ Aurto’n me bhi Kaneez Fatima ka naam to paaya jata he magar Kaneej Khadija, Kaneej Aayesha aur digar Azwaaj Mutahraat aur Kaneez Zenab, Kaneez Qulsum ( Sahab zadiyo’n) Raziyallahu Anhuma kahi sunai nahi deti,*
*⇨ Isse bhi badkar Altaf Husain, Fazal Husain aur Faizul Hasan jese Shirkiya naam bhi musalmano me bakasrat paye jate hai’n,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_ 4- Taaziya ka Juloos aur Maatam ki Majlis Dekhna ※*
*◈_ in Dino Musalmano me kaseer tadaad maatam ki majlis aur Taaziya ke juloos ka nazara karne ke liye jama ho jati he, inme ka'i gunaah hai’n,*
*◈_ Pehla gunaah ye he k is me dushmanane Sahaba Raziyallahu Anhum aur Dushmanane Quran ke Saath Mushabhat he, Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,,-” Jisne kisi qaum se mushabhat ki, wo usi me shumar hoga, ”*
*※__ Holi ke din ek buzurg ja rahe the unhone mazaak ke tor per ek Gadhe per paan ki peek daal kar farmaya k tujh per koi rang nahi fek raha, le tujhe me rang deta hu,,*
*⇨ marne ke baad is per giraft hui k tum holi khelte the aur azaab me giraftar hue,*
*◈_ Doosra gunaah ye he k jis tarah ibaadat ko dekhna ibaadat he, usi tarah gunaah ko dekhna bhi gunaah he,*
*◈_ Teesra gunaah ye he k is maqaam per Allah ta’ala ka gazab nazil ho raha hota he, esi gazab wali jagah jana bahut bada gunaah he,*
*◈_ Ek baar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ka guzar esi bastiyo’n ke khandraat per hua jin per azaab aaya tha,*
*→ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne apne sar Mubarak per chaadar daal li aur sawari ko bahut tez chalakar us maqaam se zaldi se guzar gaye,*
*→Jab Sayyadul Avvaleen val Aakhireen, Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam gazab ( azaab) wali jagah se bachne ka ahatmam farmate the to awaam ka kya hashr hoga, sochna chahiye k agar Allah ta’ala ke Dushmano ke kartooto se us waqt koi azaab aa gaya to kya sirf nazara karne ke liye jama hone wale Musalman is azaab se bach ja’enge,? Hargiz nahi, balki azaabe Aakhirat me bhi ye log unke saath ho'nge,*
*※_ Allah ta’aala mustahike azaab banane wali bad Amaalio’n se bachne ki tofeeq ata farmaye, (Aameen),*
* ye bhi khayal rahe k jis tarah Mubarak Dino’n me ibaadat ka zyada sawab he, isi tarah ma’asiyat per zyada azaab he, Allah ta’ala sabko deen ka sahi faham aur kaamil itteba’a ki ni’amat ata farmaye, ( Ameen ya Rabbul Alameen, )*
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
*▣ Fazaile Ahle Bait Nabvi ﷺ ▣*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_ (1)- Ahle Bait Ki Avvaleen Misdaaq Azwaaj Mutaharaat Hai’n ※*
*◈_ Ye ek haqeeqat he jisme kisi shak Shuba ki gunza’ish nahi k Ahle Bait ka lafz Qurane Kareem me azwaaj mutaharaat ke liye hi istemal hua he,*
*◈_ Surah Al-Ahzab, Aayat 33:me Azwaaj Mutaharaat ko kuchh khaas hidayat dene ke baad farmaya gaya,*
*“_ إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا _,*
*⇨ Jiska matlab ye he k, ”_ Ey humare paigambar ki Biviyo’n tum ko Jo ye khaas hidayate di gayi hai’n inse Allah ta’ala ka maqsad tumko zahmat v mashaqqat me mubtila karna nahi he balki Allah ta’ala ka iraada in hidayaat se ye he k tumko har qism ki jaahiri baatini Buraa'i aur gandgi se paak saaf kar diya jaye,”*
*◈_ Jo shakhs Arbi zuban ki kuchh bhi waaqfiyat rakhta he, usko Surah Al-Ahzab ka ye pura ruku padne ke baad is me koi shak Shuba nahi hoga k yaha’n Ahle Bait ka lafz Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Azwaaj mutaharaat ke liye istemal hua he,*
*⇨ Lekin ye kesi ajeeb baat he k Quran per imaan rakhne wale hum Musalmano ka Haal Aaj ye he k Ahle Bait ka lafz sunkar humara zahan azwaaj mutaharaat ki taraf bilkul nahi jata balki Aap ﷺ ki Sahabzadi Hazrat Fatima Zohra Raziyallahu Anha aur unke Shohar Hazrat Ali Murtuza Raziyallahu Anhu aur dono ki zurriyat (Hazraat Hasnain Raziyallahu Anhum) hi ki taraf jata he,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 2- Ahle Bait aur Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki Dua ※*
*◈_ Albatta Hadees Paak se ye baat saabit he k jab Surah AL-AHZAB ki ye aayat ( aayat no.33) naajil hui to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne apni Sahabzadi Hazrat Fatima Raziyallahu Anha, unke do no Sahabzado’n (Hazrat Hasan aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhum) aur unke saath unke Shohar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko ek chaadar me apne saath lekar Dua farmai,*
*”_ A Allah ! Ye bhi mere Ahle Bait hai’n, inse bhi har tarah ki buraai aur gandgi ko door farma de aur inko mukammal tor per paak saaf farma de,”*
*◈_ Bila shubha Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki ye dua qubool hui aur ye Hazraat bhi Ahle Bait me shamil ho gaye,*
* Algaraz baat ye he k Azwaaj Mutaharaat( Aap Sallallahu Alaihivasallam ki paak Biviya’n) Ahle Bait me se nahi he balki is lafz ki misdaaq sirf Aap Sallallahu Alaihivasallam ki ek beti, ek damaad aur do nawase hai’n, na to zuban ke lihaaz se durust he aur na Quran Hadees se sabit he,*
*→balki ek khaas firqe ke fankaro ki saazish ke natije me is galti ne ummat me urfe aam ki haisiyat akhtyar kar li, aur hamari saada dili, bholepan ki vajah se is tarah ki bahut si doosri galat baato ki tarah isko bhi quboole aam hasil ho gaya,*
*→ jesa k arz kiya ja chuka he k haalat ye ho gayi k ” Ahle Bait” ka lafz sunkar humare achchhe pade likhe ka bhi zahan azwaaj mutaharaat ki taraf nahi jaata Jo Quran Majeed ki ru se is lafz ki avvaleen misdaaq hai’n,*
*➖ Wallahu Muvaffiqu va Huval Musta’aani ➖*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 3- Azwaaj Mutaharaat Raziyallahu Anhuma ※*
*◈_ Jesa k Hadees Sharif ki mustanad Rivayat se maloom hota he k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ki Azwaaj Mutaharaat Jo mankuha bivi ki haisiyat se aapke saath thodi ya zyada muddat rahi wo kul 11 hai’n, inke asma’e girami ye hai’n,*
*◆1- Hazrat Khadija Raziyallahu Anha bint Khuveld,*
*◆ 2- Hazrat Sauda Raziyallahu Anha bint Zama’a,*
*◆ 3- Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha bint Abu Bakar Raziyallahu Anhu,*
*◆4- Hazrat Hafsa Raziyallahu Anha bint Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu,*
*◆5- Hazrat Zenab Raziyallahu Anha, bint Khuzema,*
*◆6- Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha bint Abi Ummya,*
*◆7- Hazrat Zenab Raziyallahu Anha bint Jahash,*
*◆8- Hazrat Juveriya Raziyallahu Anha bint Haris bin Abi Zaraar,*
*◆9- Haztat Umme Habiba Raziyallahu Anha bint Abu Sufiyan Raziyallahu Anhu,*
*◆10- Hazrat Safiya Raziyallahu Anha bint Hayi bin Akhtab,*
*◆11- Hazrat Memuna Raziyallahu Anha bint Haris,*
*◈⇨ inme se Hazrat Khadija aur Hazrat Zenab bint Khuzema Raziyallahu Anhuma ki wafaat Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki hayaat me hui,*
*◈_ Baaz Rivayaat se maloom hota he k in 11 ke alawa Banu Qureza me se Hazrat Rehana Sham’un ke mutallik maloom hota he k jab Yahood Banu Qurez ki gaddari ki vajah se Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne unke khilaf kaarwahi ki aur unki baqaya ko giraftaar kiya gaya to unme Hazrat Rehana bhi thi,*
*⇨ baaz kehte hai’n k inhone islaam qubool kar liya to inko azaad karke Huzur Sallallahu Alaihivasallam apne nikah me le liya,*
*⇨ lekin baaz Rivayaat me inko Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki mankul bivi ka sharf hasil nahi hua, balki ek baandi ki haisiyat se aapke saath rahi, aur Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki hayaat me hi hajjatul Vida ke baad wafaat payi,*
*➖ Wallahu Aalam ➖*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_ 4- Sarware Do Aalam Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki Aulad Mubarak ※*
*◈_ Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki Aulaad ke bare me aqwaal mukhtalif hai’n, sabse zyada motbar aur mustnad qaul ye he k:-*
*⇨ 3 Sahabzade Hazrat Qasim, Hazrat Abdullah (inko Tayyab aur Tahir ke naam se bhi pukara jata tha) aur Hazrat Ibrahim⇨ aur 4 Sahabzadiya Hazrat Zenab, Hazrat Ruqaiya, Hazrat Umme Qulsum, aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anhuma thi,*
*▣ _Hazrat Qasim:-Aapki Aulaad me sabse pehle Hazrat Qasim paida hue aur sirf 2 saal hayaat rahe, be’ashat nabvi se pehle hi inteqal kar gaye, Aap Sallallahu Alaihivasallam ki kunniyat Abu Qasim inhi se intsaab thi,*
*▣_ Hazrat Zenab Raziyallahu Anha:- Hazrat Zenab Raziyallahu anha Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sahabzadiyo me sabse badi hai’n, be’asat se 10 saal pehle paida hui aur islaam layi, Badar ke baad hijrat ki, khalazad bhai Hazrat Abul Aas bin Rabi’a se nikah hua, aur 8 hijri me inteqal hua,*
*⇨ Ek sahabzade Hazrat Ali aur ek sahabzadi Hazrat Umama Raziyallahu Anha apni yaadgar chhodi,*
*⇨ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke inteqal ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Umama Raziyallahu Anha se nikaah kiya aur jab Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki shahadat hui to Aapne Mugira bin Nofil ko vasiyat ki k tum Umama se nikaah kar Lena,*
*※ 5- Abu Lahab aur uske Beto ki Badbakhti ※*
*◈_ Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha aur Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha dono Sahabzadiya’n Abu lahab ke beto se mansoob thi,*
*⇨ Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha Utba se aur Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha Utaiba se faqat nikaah hua tha, rukhsati nahi hui thi, Jab ” Tabbat yada Abi lahab” nazil hui to dono beto ne baap ke hukm se dono Sahabzadiyo’n ko talaaq de di,*
*▣ 6- Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha :_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha ka nikaah Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se kiya, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne jab Habsha ki hijrat ki to Hazrat Ruqaiya bhi aapke saath thi, waha’n inke ek bachcha paida hua jinka naam Abdullah rakha gaya, Jo 6 saal zinda rehkar inteqal kar gaya,*
*◈_ Jis waqt Aap Sallallahu Alaihivasallam gazwa e Badar ke liye rawana hue to Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha bimaar thi is vajah se Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Gazwa e badar me Shareek na ho sake, unki timaardari me rahe,*
* Jis Din Hazrat Zaid Raziyallahu Anhu bin Haris Badar Fatah ki khabar lekar Madina Munavvara aaye, Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anhu ne inteqal farmaya, us waqt unki Umar 20 saal thi,*
*▣ 7- Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha:- Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha ki wafaat ke baad maahe Rabiul Avval 2 hijri me Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke nikaah me aayi, 6 saal Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke saath rahi aur koi Aulaad nahi hui, Maahe Shaban 9 hijri me inteqal kiya,*
*▣_8- Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Azmat :- Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anhu ka inteqal ho gaya to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ye irshad farmaya k agar meri 10 betiya’n bhi hoti to ek ke baad ek digar Usman ki zojiyat me deta rehta,*
*▣_ 9- Hazrat Ibrahim Raziyallahu Anhu:- Hazrat ibrahim Raziyallahu Anhu Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Aakhri aulaad he Jo Hazrat Maariya Qibtiya ke batan se zilhijja 8 hijri me paida hue, qariban 15-16 Maah aap zinda rahe, 10 hijri me inteqal hua,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ (10)- Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ※*
*◈_Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sabse chhoti beti thi, Johra aur Batool ye do aapke laqab the, Baisat ke pehle saal me paida hui aur ibne jozi Rh kehte he k baisat se 5 saal pehle paida hui jab Quresh khana kaaba ki tameer kar rahe they,*
*◈_ 2 hijri me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se nikaah hua, ek qaul ke mutabik Hazrat Fatima Rd us waqt 15 saal sade 5 maah aur Hazrat Ali Rd 21 saal 5 maah, aur doosre qaul ke mutabik Hazrat Fatima Rd 19 saal ded maah aur Hazrat Ali Rd 24 saal ded maah thi, Aap ﷺ ki wafaat ke baad Ramzan 11 hijri me inteqal farmaya,*
*◈_ Hazrat Fatima Rd Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki sabse zyada mehboob thi, baar baar Aapne farmaya k, “A Fatima ! Kya tu is per raazi nahi k tu jannat ki tamaam aurto’n ki sardaar he,”*
*"_Jab aap safar me jate to sabse akhir me Hazrat Fatima Rd se milte aur jab safar se wapas aate to sabse pehle milte,*
*◈_ Hazrat Fatima Rd ki 5 Aulade’n hui, 3 ladke ( Hazrat Hasan, Hazrat Husain aur Hazrat Mohsin Raziyallahu Anhum ) aur 2 ladkiya’n ( Hazrat Umme Kulsum Rd aur Hazrat Zenab Rd) Sivae Hazrat Fatima Rd ke aur kisi sahabzadi se Aap ﷺ ki nasal ka silsila nahi chala, Hazrat Mohsin bachpan me inteqal kar gaye, Hazrat Umme Kulsum Rd se Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne nikaah farmaya aur Hazrat Zenab Rd ka nikaah Abdullah bin Jaafar Raziyallahu Anhu se hua,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ (11)- Hazrat Husain bin Ali Raziyallahu Anhu ※*
*◈_ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke doosre nawase aur Hazrat Ali Rd v Hazrat Fatima Rd ke chhote sahabzade Hazrat Husain Rd ki wiladat Shaban 4 hijri me hui, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne hi inka naam Husain rakha, inko shahad chataya, inke moonh me apni zaban mubarak dakhil karke luaab mubarak ataa farmaya aur inka aqeeqa karne aur Baalo ke hum-vazan chandi sadqa karne ka hukm diya,*
*◈_ Apne bade bhai Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ki tarah Hazrat Husain Raziyallahu Anhu Huzur Sallallahu Alaihivasallam ke mushabe the, Jab Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat hui to inki umar sirf 6 ya 7 saal thi, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke akhri zamana e khilafat me aapne jihaad me shirkat shuru ki, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke zamane me jab baagiyo ne unke ghar ka muhasba kiya to Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne apne dono beto Hazrat Hasan aur Hazrat Husain ko unke ghar ki hifazat ke liye muqarrar kar diya tha,*
*◈_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki shahadat ke baad jab Hazrat Hasan Rd ne Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu se sulah karke khilafat se dast bardari ke iraade ka izhaar kiya to Hazrat Husain Rd ne bhai ki raay se ikhtilaf kiya lekin bade bhai ke ahatram me unke faisle ko tasleem kar liya,*
*◈ _Albatta jab Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ki wafaat ke baad jab Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu ne apne bete Yazeed ki khilafat ki bait li to Hazrat Husain Raziyallahu Anhu isko kisi tarah bardaast na kar sake aur Yazeed ke khalifa ban jane ke baad Jihaad ke iraade se Madina Taiyaba se Kufa tashreef le gaye aur Karbala ka waq’aa pesh aaya, Aap waha’n 10 Muharram, 61 hijri ko shaheed kar diye gaye,"*
*➖ Raziyallahu Anhu va Arzah,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_ 12- Hazraate Hasnain Raziyallahu Anhu ke Fazail ※*
*◈_ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke nawase aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Sahabi hone ka sharf hi kya kam he fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Hazraate Hasnain Raz.se bahut mohabbat thi, Shafqat v muhabbat ka ye aalam tha k ye dono bhai bachpan me namaz ki haalat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ki kamar mubarak per Chad jate, kabhi kabhi dono taango ke beech me se guzarte rehte aur Aap Sallallahu Alaihivasallam namaz me bhi unka khayal rakhte, jab tak wo kamar per chade rehte Aap Sallallahu Alaihivasallam sazde se sar na uthate,*
*◈_ Aap Sallallahu Alaihivasallam aksar inhe goad me lete, kabhi kandho per sawaar karte, unka bosa lete, unko sunghte aur farmate,”_ Tum Allah ki ataa ki hui khushbu ho ”*
*®_Jami’a Tirmizi•*
*◈_ Sahi Bukhari me Hazrat Adi bin Saabit Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu Ko apne kaa'ndhe per sawaar kiye hue the aur ye dua farma rahe the,*
*”_ Ey Allah! ye mujhe mehboob hai aap bhi ise apna mehboob bana lije,”*
*®_ Sahi Bukhari- 1/530,*
*◈_ Imaam Tirmizi Reh. ne Hazrat Usama bin zaid Raziyallahu Anhu ki hadees zikr ki he k me kisi zaroorat se Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haazir hua, Aap ghar ke bahar is haal me tashreef laye k Aap Sallallahu Alaihivasallam dono goad me kuchh rakhe hue the, aur chaadar ode hue the, me jab apne kaam se farig ho gaya to arz kiya, ye kya he? to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne chaadar hata di, mene dekha ek janib Hazrat Hasan aur doosri janib Hazrat Husain hai’n, aur farmaya,*
*”_ Ey Allah! me in dono se muhabbat karta hu, aap bhi inse muhabbat farmaye’n aur Jo inse muhabbat kare usko bhi tu apna mehboob banale, ”*
*◈_ Ek baar Aap Sallallahu Alaihivasallam khutba de rahe the, dono nawase aa gaye, Aapne khutba rok kar dono ko utha liya aur apne paas bethaya fir baqi khutba pura kiya,*
*◈ _Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhu dono Bhai bahut ibadat guzaar the, dono ne baar baar Madina Tayyaba se Makka Mukarrama tak paidal safar karke hajj kiye hai’n, Allah ke Raaste me kasrat se maal kharch karte the, Judo sakhawat Maa’n Baap aur Nana jaan se virasat me mili thi,*
*®_ Maarful Hadees,*
*➖ Raziyallahu Anhuma va Arzahuma ➖*
*◈_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ko apne tamaam ahle Bait me Hazraate Hasnain Raz sabse zyada mehboob the Hazrat Anas Raz riviyat karte hai’n Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam farmate the k ahle Bait me mujhko Hasan aur Husain sabse zyada mehboob hai’n,*
*®_ Tirmizi Sharif •*
*◈_ Aap khuda se apne in mehboobo se muhabbat karne ku dua farmate the, Hazrat Abu Haraira Raz. rivayat karte hai’n k ek martaba me Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath bazaar se lota to Aap Hazrat Fatima Raz.ke ghar tashreef le gaye aur puchha bachche kaha’n hai’n?*
*Thodi der me dono dodte hue aaye aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se chimat gaye, Aapne farmaya, khudara me inko mehboob rakhta hu isliye tu bhi inhe mehboob rakh aur inke mehboob rakhne wale ko bhi mehboob rakh,*
*®_ Muslim Sharif •*
*◈_ Ek martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko kandhe per lekar nikle, ek shakhs ne dekhkar kaha, ” kya h Sahabzade kya achchhi sawari he, ”*
*"_Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,- ”Sawaar bhi to kitna achchha he,”*
*®_ Tirmizi Sharif•*
*◈_ Nabuwat ki haisiyat ko chhodkar jaha’n tak Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki bashri haisiyat ka ta’alluq he Hazrat Hasan Raz aur Hazrat Husain Raz.ki zaat goya zaate muhammadi ka juzv thi,*
*""Hazrat Ya’ali Raz. bin Murrah rivayat karte hai’n k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Husain mujhse he aur me Husain se hu’n, Jo shakhs Husain ko dost rakhta he, khuda usko dost rakhta he, Husain Raziyallahu Anhu asbaat ke ek sabt hai’n,*
*◈_ Hazraate Hasnain Raz.ko Aap Sallallahu Alaihivasallam apne jannat ke gul khandan farmate the, Ibne Umar Raziyallahu Anhu rivayat karte hai’n k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam farmate the, k Hasan aur Husain mere jannat ke do fool hai’n,*
*®_ Bukhari Sharif•*
*◈_ Hazraate Hasnain Raz.nojawanane jannat ke sardaar hai’n, Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu farmate hai’n, Ek martaba mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath magrib aur isha ki namaz padi, isha ki namaz ke baad Aap Sallallahu Alaihivasallam tashreef le chale, me bhi pichhe ho liya, meri awaaz sunkar Aapne farmaya, kon?, Huzaifa, Mene arz kiya, jee, Farmaya, khuda tumhari aur tumhari maa’n ki magfirat kare, tumhari koi zarurat he? Dekho abhi ye farishta nazil hua he, Jo isse pehle kabhi na aaya tha, isko khuda ne ijazat di he k wo mujhe salaam kahe aur mujhe basharat de k Fatima jannat ki Aurto’n ki aur Hasan aur Husain Jannat ke nojawano ke sardaar hai’n,*
*® Tirmizi Sharif,*
*◈_ in mushtarak fazail ke alawa Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke kuchh imtiyazi fazail alag hai’n Jo unhe Hazrat Husain Raziyallahu Anhu se mumtaz karte hai’n, in fazail me sabse badi fazilat ye he k, Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne inke mutalliq pesheen goi farmai thi k” _mera ye beta sayyad he, khuda iske zariye se muslamano ke do bade giroho me sulah kara’ega, ”*
*◈_Hazrar Amire Muaviya Raziyallahu Abhu se sulah ke waqt Hazrat Hasan Raz.ne is pesheen goi ki amali tasdeeq farmai,*
*"_Ek mauke per farmaya k”_ Hasan ( raz) ko mera hilm ataa hua he,”*
*®_ Ser- al-Sahaba,*
*◈_ Hazrat Husain Raziyallahu anhu ne us jung me bhi shirkat farmai thi jisne 15 hijri ko Kustuntuniya per hamla kiya tha, is hamle me Yazeed bin Muaviya bhi the,*
*®_ Al-bidayata v al-nihayata,*
*◈_ Hazrat Husain bin Ali Raziyallahu Anhu inthai mutavaza the, Ek martaba ghode per sawaar guzar rahe the, Gurba ki ek Jama’at nazar aayi Jo zameen per beth kar roti ke tukde kha rahi thi, Aapne unko salaam kiya, un logo’n ne kaha,*
*”_ Farzande Rasool ! Hamare saath khana tanavul farmae, ”*
*→Aap raz. ghode se utre aur unke saath bethkar khane me shareeq ho gaye,Aapne is mauke per Surah Nahal ki ye aayat tilawat farmai,*
*” innallahu yuhibbul mustakbireen, ”*
*"_Allah takabbur karne walo ko pasand nahi farmata he,*
*"_Farig hone ke baad farmaya, Bhaiyo’n aapne mujhe dawat di mene qubool kiya, ab aap sab meri dawat qubool kijiye, un logo’n ne bhi dawat qubool ki aur Aapke ghar aaye, Sab aakar bethe to Aapne farmaya,”_ Rubaab laana Jo bhi bacha hua mehfooz rakha he, ”*
*®_ Al- Johar,*
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
*▣ Shahadat Ke Fazail ▣*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 1- Shahadat ke Fazail ,※*
*◈_ Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne hamdo sana ke baad irshad farmaya,”_ Beshak sachcha kalaam Allah ki kitaab he, sabse mazboot kada taqwa he, sabse behtar millat Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki millat he, sabse behtar tareeqa Muhammad ( Sallallahu Alaihivasallam) ka he, sabse ashraf kalaam Allah ka zikr he, sabse behtar kissa Quran he, Tamaam kaamo me sabse behtar wo he jisko azmiyat se Ada kiya jaye aur badtareen kaam kaam wo he Jo naye naye ijaad kiye jaye, sabse behtar tor tareeqa Ambiya Alaihissalam ka tor tareeqa he , sabse ashraf maut shahadat he,*
*® _Hayatussahaba,*
*◈_ Qurane Kareem me Hazraate Shohda ka darja teesra bayaan farmaya he jesa k irshad he,” aur jisne kaha maan liya Allah ka aur Rasulullah ka to ye log honge Nabiyo’n ke saath aur Siddiqeen ke saath aur Shohda ke saath aur Aala darja ke nek logo’n ke saath aur bahut hi umda hai’n ye sab Hazraat rafeeq hone ke aitbaar se ( inse zyada umda rafeeq kisi ko mayassar aa sakte hai’n ?)*
*® _Surah An-Nisa,*
*◈_Qurane Kareem ne pehla darja Allah ke Nabiyo’n ka bayan farmaya, doosra Siddiqeen ka, teesra Shohda ka, chotha Saleheen yani aala darje ke nek logo’n ka jinko hum Auliya Allah kehte hai’n,*
*◈_ Hum jese gunahgar musalman Jo Allah ta’ala ki aur uske Rasool Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ki ita’at kare aur ita’at ki koshish karte rahe, Allah ta’ala ese logo’n ko khush khabri de raha he k Qayamat ke unka hashr nabiyo’n, siddiqeen, shohda aur saleheen ke saath hoga aur ye bahut achchhe saathi hai’n, Ye Allah ta’ala ka fazal he jisko Allah ta’ala naseeb farma de,*
*※ _Allah ta’ala hum sabko naseeb farma de, (Ameen ya rabbul alameen),*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ (2)- Shahadat ki maut ka darja ※*
*◈_ Huzur Sallallahu Alaihivasallam ko Allah ta’ala ne nabuwat ata farmayi aur Shohda Aapke jooto ki khaak hai’n, Aap Sallallahu Alaihivasallam Tamam Ambiya Alaihissalam ke Sardaar hai’n,*
*⇨ iske bavjood Aap Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate the k,”_ Mera jee chahta he k Mai'n Allah ke Raaste me Shaheed ho jau’n fir zinda kiya jau’n, fir Shaheed ho jau’n fir zinda kiya jau’n fir Shaheed ho jau’n fir zinda kiya jau’n ( ye silsila chalta hi rahe),”*
*®_ Mishkaat Sharif,*
*▣ 3- Shaheed Zinda he ▣*
*◈_ Qurane Kareem me irshad he:-”_ aur Jo Allah ki raah me Shaheed ho jate hai’n unko murda na kaho balki wo zinda hai’n, magar unki zindgi ka tum sha’ur nahi rakhte, ”*
*®_ Surah Al-Bakra•*
*⇨ Aur doosri jagah irshad farmaya,”_ Balki wo zinda hai’n aur unke Rab ke Paas unko rizq diya jata he,*
*®_ Surah Aale imraan•*
*◈ _Sahi Bukhari ke hawale se mishkat me hadees he:-” Allah ta’ala ke arshe aazam ke saath qundliya’n latki hui hai’n aur woh shohda ka masqan he, woh shohda ke rehne ki jagah he aur sabz parindo ki shakl me Allah ta’ala unko sawariya’n ata farmate hai’n,*
*→ aur unki roohe’n in sabz parindo me jannat ke andar parvaz karti he aur jaha’n chahti hai’n khati peeti hai’n, ”*
*®_ Mishkaat Sharif,*
*⇨ Ye qayamat se pehle ka kissa he, qayamat ke din unke saath Jo maamla hoga wo to Subhanallah ! Kya baat he!*
︾︾︾︾︾︾︾︾︾
*▣ SHAHEED E KARBALA ▣*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 1- Waqi'a Shaheed e karbala ※*
*◈_ Saiyadna v Saiyadul Shabab Ahlal Jannat Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ka waq’aa shahadat na sirf islami tareekh ka ek aham waq’aa he balki puri duniya ki tareekh me bhi isko ek khaas imtiyaz hasil he,*
*◈_ isme ek taraf zulm v zor aur sangdili v behayai v fahash kashi ke ese holnaak aur hairat angez waq’aat he k insaan ko unka tasavvur bhi dushwar he, aur doosri taraf Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke chashm charag aur unke 70-72 mutalliqeen ki chhoti si jama’at jinki nazeer tareekh me milna mushkil he aur in dono me aane wali naslo ke liye hazaro ibrate’n aur hikmate poshida hai’n,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 2- Khilafat e islamiya per ek Hadsa Azimiya ※*
*◈_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki shahadat se fitno ka ek gair munqata silsila shuru ho jata he, isme munafikeen ki saazish, bhole bhale musalmano ke jazbaat se khelne ke waq’aat pesh aate hai’n, Musalmano ki aapas me talware chalti hai’n, musalman bhi wo Jo khairul khalaiq ba’adal ambiya kehlane ke mustahiq hai’n,*
*◈_ Khilafat ka silsila jab Ameer Muaviya Raziyallahu Anhu per pahunchta he to khilafate Rashida ka rang nahi rehta mulkiyat ki surat paida ho jati he, Ameer Muaviya Raz. ko mashwara diya jata he k zamana sakht fitno ka he, Aap apne baad ke liye koi esa intezam kare’n k musalmano me fir talware na nikle aur khilafate islamiya para para hone se bach jaye,*
*"_Halaat ke aitbaar se yaha’n tak koi gair shara’i namaqool baat bhi na thi,*
*◈ _Lekin iske saath hi Aapke bete Yazeed ka naam Aapke baad khilafat ke liye pesh kiya jata he, Kufa ke 40 khushamad pasand log aate hai’n ya bheje jate hai’n k Ameer Muaviya Raz. se iski darkhwast kare’n k Aapke baad Aapke bete Yazeed se koi qabil aur milki siyasat ka maahir nazar nahi aata, isliye baite khilafat ki jaye, Hazrat Muaviya Raz. ko shuru me kuchh ta’amul bhi hota he to Aapne makhsoos logo se mashwara kiya, unme ikhtilaf hota he, koi muwafqat me raay deta he aur koi mukhalfat me, Yazeed ka fisq v fijoor bhi us waqt khula nahi tha, bil akhir baite Yazeed ka qasd kiya jata he aur islaam per ye pehla haadsa azeem he k khilafate nabuwat mulkiyat me muntaqil ho jati he,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_ 3- Islam per Bait aur Yazeed ka Waq’aa ※*
*◈_ Shaam v Iraaq me maloom nahi kis tarah khushamad pasand logo ne Yazeed ke liye bait ka charcha kiya aur ye shohrat di gayi k Shaam v Iraaq, Kufa v Basra vagera Yazeed ki bait per muttafiq ho gaye, Ab Hijaaz ki taraf rukh kiya gaya, Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu ki taraf se Ameere Makka v Madina ko is kaam ke liye mamoor kiya gaya,*
*◈_ Madina ka Aamil Marvaan tha, usne khutba diya aur logo se kaha k,*
*“_Amirul Momineen Muaviya Raz. Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki sunnat ke mutabiq ye chahte hai’n k apne baad ke liye Yazeed ki khilafat per Bait li jaye, ”*
*"_Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raziyallahu Anhu khade hue aur kaha,*
*”_ Ye galat he, Ye Hazrat Abu Bakar aur Hazrat Umar Raz. ki sunnat nahi balki Kisra aur Qaisar ki sunnat he, Abu Bakar aur Umar Raz. ne khilafat Apni Aulaad me muntqil nahi ki aur na hi apne Kunba v rishte me ki, ”*
*◈_ Hijaaz ke aam musalmano ki nazre’n ahle bait per khususan Hazrat Husain Raziyallahu Anhu per lagi hui thi, jinko Hazrat Muaviya Raz. ke baad khilafat ka mustahiq samajhte the, Wo isme Hazrat Husain Raz. Hazrat Abdullah bin Umar Raz. Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raz. Hazrat Abdullah bin Zubair Raz. Hazrat Abdullah bin Abbas Raz. ki raay ke muntzir the, k ye kya karte hai’n,*
*◈_ in Hazraat ke saamne avval to kitaab v sunnat ka ye usool tha k khilafate islamiya khilafate nabuwat he, isme virasat ka koi kaam nahi k baap ke baad beta khalifa ho, balki zaruri he k Azadana intkhaab se khalifa ka taqarrur kiya jaye,*
*◈_ Doosre Yazeed ke zaati halaat bhi iski ijazat nahi dete the k usko tamaam mumaliq islamiya ka khalifa maan liya jaye, in Hazraat ne is saazish ki mukhalfat ki aur unme se aksar akhir dam tak mukhalfat per hi rahe, isi haq goi aur himayate haq ke nateejo me Makka v Madina me, Kufa v Karbala me qatle aam ke waq’aat pesh aaye,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 4- Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu Madina me ※*
*◈_ Hazrat Muaviya Raziyallahi Anhu ne khud 51 hijri me Hijaaz ka safar kiya, Madina taiyaba tashreef laye, in sab hazraat se naram v garam guftgu hui, sabne khule tor per mukhalfat ki,*
*▣ 5- Ummul Momineen Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se shikayat aur unki Nasihat ▣*
*◈_ Ameer Muaviya Raziyallahu Anhu Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke paas tashreef le gaye aur unse ye shikayat k ye Hazraat meri mukhalfat karte hai’n,*
*"_Hazrat Ayesha Raz. ne nasihat ki k mene suna he aap unper jabar karte hai’n aur qatl ki dhamki dete hai’n, Aapko hargiz esa nahi karna chahiye,*
*◈_Hazrat Muaviya Raz. ne farmaya k ye galat he, ye Hazraat mere nazdeek wajibul ahatraam hai’n, me kabhi esa nahi kar sakta, lekin baat ye he k Shaam aur Iraaq aur aam islami shehro ke basinde Yazeed ki bait per mutfiq ho chuke hai’n, Baite khilafat mukammal ho chuki he, Ab ye chand Hazraat mukhalfat kar rahe hai’n, Ab aap hi batlaiye k musalmano ka kalma ek shakhs per mutfiq ho chuka he aur bait mukammal ho chuki he, kya me is bait ko mukammal hone ke baad tod du,?*
*◈_Hazrat Ayesha Raz. ne farmaya, ye to aapki raay he aap jaane, lekin me ye kehti hu’n k in Hazraat per tashaddud na kijiye, ahatraam v rafaq ke saath inse guftgu kijiye, Hazrat Muaviya Raz. ne inse vaada kiya k me esa hi karunga_,"*
*®_ Ibne Kaseer,*
*◈_Hazrat Husain Raziyallahu Anhu, Hazrat Abdullah bin Zubair Raz., Hazrat Muaviya Raz.ke qayaam Madina ke zamane me ye mehsoos karte the k hume majboor kiya ja’ega, isliye may ahal v ayaal Makka Mukarrama pahunch gaye, Hazrat Abdullah bin Umar Raz. aur Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raz. hajj ke liye Makka Mukarrama tashreef le gaye,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 6- Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ka khutba ※*
*◈_ Aapse pehle bhi khulfa the aur unke bhi aulaad thi, Aapka beta kuchh unke beto se behtar nahi, magar unhone apne beto ke liye wo raay qaa’im nahi ki Jo Aap apne bete ke liye kar rahe hai’n balki unhone musalmano ke ijtmayi faayde ko saamne rakha, Aap mujhe tafreeq millat se darate hai’n, so Aap yaad rakhe k me firkabeen muslemeen ka sabab hargiz nahi banunga, Musalmano ka ek fard hu’n agar sab musalman kisi raay per pad gaye to me bhi unme shamil rahunga,”*
*◈_ iske baad Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raz. se is maamle me guftgu farmayi, unhone shiddat se inkaar kiya k me kabhi isko qubool nahi karunga, Fir Hazrat Abdullah bin Zubair Raz. ko bulakar khitab kiya unhone bhi wesa hi jawab diya,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 7- Ijtimai Tor per Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu ko Sahi Mashvara ※*
*◈ _iske baad Hazrat Husain Raziyallahu anhu aur Hazrat Abdullah bin Zubair Raziyallahu anhu ne khud jakar Hazrat Muaviya Raz.se mile aur unse kaha k Aapke liye ye kisi tarah bhi munasib nahi k Aap apne bete Yazeed ke liye bait per israar kare, Hum Aapke saamne 3 surate rakhte hai’n, Jo Aapke peshruo ki sunnat he,*
*⇨ 1- Aap wo kaam kare’n Jo Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne kiya k apne baad kisi ko mutaiyan nahi farmaya balki musalmano ki aam raay per chhod diya,*
*⇨ 2- ya wo kaam kare’n Jo Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne kiya k ek ese shakhs ka naam pesh kiya jo na to unke khandan ka he, na unka koi qareebi rishtedar he aur uski ahliyat per bhi sab musalman mutfiq he,*
*⇨ 3- Ya wo Surat akhtyar kare’n Jo Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne ki k apne baad ka maamla 6 aadmiyo per chhod diya,*
*"_Iske siva hum koi chothi surat nahi samajhte, na qubool karne ke liye taiyaar hai’n, Magar Hazrat Muaviya Raz.ko is per israar raha k ab to Yazeed ke haath per Bait mukammal ho chuki he aur iski mukhalfat aap logo ko jaa’iz nahi,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 8- Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu ki Wafaat aur Yazeed ko Nasihat ※*
*◈_ Wafaat se pehle Hazrat Muaviya Raz.ne Yazeed ko kuchh vasiyate farmai, inme ek ye bhi thi k mera andaza ye he k ahle Iraaq Hazrat Husain Raz.ko tumhare khilaf amaada karenge, agar esa ho aur muqable me tum kamyaab ho jao to unse darguzar karna aur unki qarabate Rasulullah ka pura ahatraam karna, unka sab musalmano per bada haq hai,*
*▣ 9- Yazeed ka Khat Waleed ke naam ▣*
*◈_ Yazeed ne takhte khilafat per aate hi waali Madina Waleed bin Utba bin Abi Sufiyan ko khat likha k Hazrat Husain Raz, Hazrat Abdullah bin Umar Raz.aur Hazrat Abdullah bin Zubair Raz.ko baite khilafat per majboor kare aur unhe is maamle me mohlat na de,*
*◈_ waleed ne Marvaan bin Hakam ke mashvare se usi waqt in Hazraat ko bulawa bheja, to Hazrat Husain Raz. apni zakawat se puri baat samajh gaye k lagta he Ameer Muaviya Raz. ka inteqal ho gaya he aur ye log chahte hai’n k inteqal ki khabar mashoor hone se pehle hume Yazeed ki bait per majboor karenge,*
*◈_ Hazrat Husain Raziyallahu Anhu Waleed ke paas pahunche to usne Yazeed ka khat saamne rakh diya, Hazrat Husain Raz. ne Hazrat Muaviya Raz.ke inteqal per izhare afsos kiya aur bait ke mutalliq farmaya k , “_Mere jese aadmi ke liye ye munasib nahi k khilwat me poshida tor per Bait kar lu’n, munasib ye he k Aap sabko jama kare’n aur sabke saamne baite khilafat ka maamla rakhe,”*
*→ Waleed ne isko qubool kiya aur Hazrat Husain Raz. ko wapsi ki ijazat de di,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 10- Hazrat Husain Raz. aur Hazrat Abdullah bin Zubair Raz. Makka chale gaye ※*
*◈_ Hazrat Abdullah bin Zubair Raz. apne bhai Jaafar Raz. ko saath lekar raato raat Madina chhod kar nikal gaye, Hazrat Husain Raz. ne bhi yahi surat akhtyar ki aur apni aulaad, mutalliqeen ko lekar Madina se nikal gaye aur Makka Mukarrama pahunch kar panaah li,*
*◈_ Yazeed ko jab ye pata chala to usne Waleed ko hatakar Amr bin Sa’ad ko Ameer Madina bana diya aur uski poolice ka afsar Hazrat Abdullah bin Zubair Raz. ke bhai Amru bin Zubair ko banaya kyunki use maloom tha k dono bhaiyo me shadeed ikhtilaf he,*
*⇨Ye in Hazraat ki giraftari ke liye 2 hazaar jawano ko lekar Makka rawana hua aur Makka se bahar qayaam karke apne bhai Abdullah bin Zubair Raz. ke paas giraftari ke liye aadmi bheje k unhe Yazeed ka hukm he, Mai’n munasib nahi samajhta k Makka Mukarrama ke andar qitaal ho,*
*◈_Hazrat Abdullah bin Zubair Raz. ne apne chand nojawano ko muqable ke liye bhej diya jinhone unko shikast di aur Amru bin Sa’ad ne Ibne Alqama ke ghar me panah li,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 11- Ahle Kufa ke Khutoot ※*
*◈_ idhar jab ahle kufa ko Hazrat Muaviya Raziyallahu anhu ki Wafaat ki khabar mili aur ye k Hazrat Husain Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abdullah bin Zubair Raziyallahu anhu vagera ne baite Yazeed se inkaar kar diya to kuchh Shiya Suleman bin Sard khazai ke makaan per jama hue aur Hazrat Husain Raz. Ko khat likha k hum bhi Yazeed ke haath per Bait per taiyar nahi, Aap foran kufa aa jaye, Hum sab aapke haath per Bait karenge,*
*◈_ iske 2 roz baad isi mazmoon ka khat likha aur doosre khutoot Hazrat Husain Raz. ke paas bejhe aur chand vafood bhi pahunche, Hazrat Husain Raz. vafood aur khatoot se mutassir hue magar hikmat aur danishmandi se ye kiya k bajaye khud Jane ke apne chachazad bhai Hazrat Muslim bin Aqeel ko kufa rawana kiya taki halaat ki tehqeeq ho,*
*⇨ Muslim bin Aqeel kufa pahunchkar Mukhtar ke ghar muqeem hue, chand roz ke qayaam se ye andaza laga liya k yaha’n ke aam musalman Hazrat Husain Raz.ki bait ke liye bechen hai’n, Aapne ye dekhkar Hazrat Husain Raz.ke liye baite khilafat shuru kar di, Chand roz me hi sirf Kufa se 18 hazaar musalmano ne Hazrat Husain Raz.ke liye bait kar li, aur ye silsila chalta raha,*
*⇨ Jab Muslim bin Aqeel ko ye itminan ho gaya k Hazrat Husain Raz.tashreef layenge to beshak pura Iraaq unki bait ko aa jaega, unhone Hazrat Husain Raz.ke Kufa aane ki dawat de di,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_ 12- Halaat me Inqlaab ※*
*◈_ Magar ye khat likhe Jane ke baad Kufa se kisi ne ek khat Yazeed ko bhej diya jisme Muslim bin Aqeel ke aane aur Hazrat Husain Raz. ke liye bait lene ka waq’aa zikr kiya gaya,*
*⇨ Yazeed ne ek farman nikaal kar Kufa ka Ameer Abdullah bin Ziyaad ko mukarrar kiya aur khat likha k Muslim bin Aqeel ko giraftaar kare aur qatl kare ya Kufa se nikaal de,*
*▣ 13- Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ka Khat Ahle Basra ke Naam ▣*
*◈_ idhar Hazrat Husain Raz. ka ek khat ahle Basra ke naam pahuncha jiska mazmoon ye tha,*
*”_ Aap log dekh rahe hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat mit rahi he aur bid’at felayi ja rahi he, Mai’n tumhe dawat deta Hu’n k kitabullah aur sunnate Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki hifazat Karo aur uske ahkaam ki tanfeez ke liye koshish Karo, ‘”*
*◈_ Lekin Jo shakhs khat lekar aaya tha, usko ibne Ziyaad ke saamne pesh kar diya gaya, Ibne Ziyaad ne us qasid ko qatl kar diya aur tamaam ahle Basra ko jama karke kaha:-*
*”_ Jo shakhs meri mukhalfat kare me uske liye azaabe aleem hu'n aur Jo muwafqat kare uske liye raahat hu'n,”*
*◈_ iske baad Yazeed ka hukm pakar Kufa ke liye Rawana ho gaya,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 14- Ibne Ziyaad Kufa me ※*
*◈_ Kufa ke log Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki aamad ke muntzir the aur unme se bahut se log unhe pehchante bhi nahi the,*
*⇨ Jab ibne Ziyaad kufa pahuncha to to un logo ne yahi samjha k Hazrat Husain Raz.hai’n, wo jis majlis se guzarta ye kehkar istaqbal karte the, Marhaba ya ibne Rasulullah,*
*⇨ Ibne Ziyaad ye manzar khamoshi se dekhta aur dil me kudta tha k Kufa Per Hazrat Husain Raz. ka pura tasallut ho chuka he, Agle roz subeh ibne Ziyaad ne ahle kufa ko jama karke ek taqreer ki,*
*▣ 15- Muslim bin Aqeel Raziyallahu Anhu ke Tassuraat ▣*
*◈ _Muslim bin Aqeel Raz. ne jab ibne Ziyaad ke aane ki khabar suni to unhe khatra hua aur unhone Mukhtar bin Abi Ubed ka ghar chhodkar Hani bin Urva ke makaan per panah li,*
*⇨ittefaqan Haani bin Urva bimar hue aur ibne Ziyaad unki bimari ki khabar pakar iyadat ke liye unke ghar pahuncha, Us waqt Umar bin Abd Salvi be kaha k mauka ganimat he k is waqt dushman ( Ibne Ziyaad) tumhare qaabu me he, qatl karado, lekin Haani bin Urva ne kaha k ye sharafat ke khilaf he k me usko apne ghar me qatl karu,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_16- Ahle Haq me aur Ahle Baatil me Farq ※*
*◈_ Muslim bin Aqeel Raz.se bhi kaha gaya k is faazir ko qatl kar de’n fir Aap mutmain hokar kasre imarat per bethe, magar unhone ye munasib nahi samajhta,*
*◈_ Yaha’n ye baat qabile gor he k Muslim bin Aqeel Raz.ko apni maut saamne nazar aa rahi he aur na sirf apni balki pure khandaan Ahle bait ki maut bhi aur iske saath ek sahi islami maqsad ki nakaami bhi dekh rahe hai’n,*
*⇨ aur jis shakhs ke haatho ye sab kuchh hone wala he wo is tarah unke saamne he k bethe bethe usko qatl kar sakte hai’n, magar Ahle haq khususan Ahle bait ka johare sharafat aur taqazae itteba e sunnat dekhne aur yaad rakhne ke qaabil he k is waqt bhi unka haath nahi utha,*
*⇨ yahi ahle haq ki alaamat he k apni har harkat v sukoon aur har qadam per sabse pehle ye dekhte hai’n k Allah ta’aala aur uske Rasool ke nazdeek hamara ye qadam sahi he ya nahi,*
*▣ 17- Haani bin Urva per Tashaddud v Maar peet ▣*
*◈_ Jab ibne Ziyaad ko Haani ke bare me pata chala k Muslim bin Aqeel Raz. ko panah di he to unko bulwakar Muslim bin Aqeel ko hawale karwane ko kaha, varna tumhe bhi qatl kar denge aur unse shadeed maar peet k gayi,*
*◈_idhar shehar me mashhoor ho gaya k Haani bin Urva ko qatl kar diya gaya, jab ye khabar Umar bin Hijaaj ko pahunchi to wo qabila e mujajij ke bahut se jawano ko lekar mauke per pahunch gaye aur ibne Ziyaad ke makaan ka muhasba kar liya, Ibne Ziyaad ne Qazi shareeh ko kaha k Aap bahar jaakar logo ko bataye k Haani bin Urva sahi saalim he, qatl nahi kiye gaye, me khud unko dekh kar aaya hu, Unki baat sunkar Umar bin Hijaaj ko itminaan ho gaya aur jawano ko wapas lauta diya,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※18- Muslim bin Aqeel Raziyallahu Anhu. ki bebasi ※*
*◈_ idhar Haani bin Urva ke qatl ki khabar Muslim bin Aqeel Raz.ko mili to wo bhi muqable ke liye taiyaar hokar nikle aur jin 18 hazaar muslmano ne unke haath per Bait ki thi unko jama kiya aur is lashkar ne ibne Ziyaad ke kasr ka muhasra kar liya,*
*⇨ ibne Ziyaad ke saath kasr me sirf 30 sipahi the aur kuchh khandaan ke sadaat the, ibne Ziyaad ne inme se chand ese logo ko muntkhab kiya jinka asar v rasookh unke qaba’il per tha Jo Muslim bin Aqeel Raz.ke saath shamil the,*
*⇨ inko kaha gaya k tum bahar jaakar apne apne halka e asar ke logo ko Muslim bin Aqeel ka saath dene se roko, maal, hukumat ka lalach dekar ya hukumat ki saza ka khof dilakar jis tarah bhi mumkin ho inko Muslim bin Aqeel se juda kar do,*
*◈_ Idhar sadaat Shiya ko hukm diya k tum log kasr ki chhat per chadkar logo ko is bagawat se roko, Jab logo ne sadaat Shiya ki zubani baate suni to alag hona shuru ho gaye, Aurte’n apne beto, bhaiyo, shoharo ko wapas le Jane ke liye aane lagi, yaha tak k Muslim bin Aqeel Raz.ke saath sirf 30 log reh gaye aur jab waha se wapas hue to dekha k ek aadmi bhi unke saath nahi tha,to unhe ek Aurat ne apne ghar me panah di,*
*◈_ us waqt ibne Ziyaad apne kasr se utarkar masjid me aaya aur pulis ke afsar ko hukm diya k shehar ke tamaam gali kucho ke darwazo per pehra laga do koi bahar na ja sake aur sab gharo ki talashi lo,*
*◈_ idhar jab Aurat ke ladko ko talashi ka pata chala to unhone khud Muslim bin Aqeel Raz.ki khabar de di aur 70 sipahiyo ne unhe gher liya,unhone sabka muqabla kiya, is muqable me zakhmi ho gaye lekin unke bas me na aaye, log chhat per Chad kar un per patthar barsane lage, aur ghar me aag laga di,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 19- Muslim bin Aqeel Raz.ki giraftari ※*
*◈_ Muhammad bin Asas ne pukaar kar kaha k me Aapko aman deta hu, apni jaan halakat me na dalo, Muslim bin Aqeel Raz. tane tanha 70 sipahiyo ka muqabla karte hue zakhmo se choor choor hokar thak kar ek diwar ke sahare tik gaye, aur unki aankho se aansu beh nikle, farmaya,*
*”◈_ Me apni jaan ke liye nahi rota hu balki Husain Raz.aur aale Husain ki jaano ke liye ro raha hu’n, Jo meri tehreer per anqareeb kufa pahunchne wale hai’n, kam se kam meri ek baat maan lo k ek aadmi Husain Raz.ke paas foran rawana kar do Jo unko meri haalat ki ittela karke ye kahe k Aap raaste se hi lot jaye, kufa walo ke khutoot se dhokha na khaye, ye wahi log hai’n jinki bewafai se pareshan hokar Aapke walid apni maut ki tamanna kiya karte the,”*
*◈⇨Muhammad bin As’as ne vaada kiya aur vaade ke mutabik ek aadmi khat dekar Hazrat Husain Raz. ko rokne ke liye rawana kar diya, Jis waqt ye qaasid unke paas pahuncha us waqt Hazrat Husain Raz.makaame Ziyala tak pahunch chuke the, khat padkar Aapne farmaya:-*
*”◈ _Jo cheez ho chuki he wo hokar rahegi, hum sirf Allah ta’aala se apni jaano ka sawaab chahte hai’n aur ummat ke fasaad ki faryaad karte hai’n,”*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 20- Muslim bin Aqeel Raz. ki Shahadat aur Vasiyat ※*
*◈_ Muslim bin Aqeel Raz. pehle hi samajhte the k Muhammad bin Asas ka amaan dena koi cheez nahi, ibne Ziyaad mujhe qatl karega, Unhone kaha k ,”_ mujhe vasiyat karne ki mohlat do, ”*
*"_ ibne Ziyaad ne mohlat de di, aur unhone Amr bin Sa’ad se kaha k_“mere aur aapke darmiyan qarabat he aur me is qarabat ka vaasta dekar kehta hu’n k mujhe tumse ek kaam he, Jo raaz he wo me tanha'i me bata sakta hu’n, ”*
*◈_ Alhida hokar Muslim bin Aqeel Raz.ne kaha k kaam ye he k mere zimme 700 dirham qarz he Jo mene kufa me fala aadmi se liye the wo meri taraf se Ada kar do,*
*→doosra kaam ye he k Husain Raz. ke pass ek aadmi bhej kar unko raaste se wapas kar do,*
*◈_ Amr bin Sa’ad ne ibne Ziyaad se vasiyat puri karne ki ijazat chahi to usne kaha, beshak Ameen aadmi kabhi khayanat nahi karta, tum inka qarz Ada kar sakte ho baqi raha Husain Raz. ka maamla so agar wo hamare muqable ke liye na aaye to hum bhi unke muqable ke liye nahi ja’enge, aur wo aaye to hum bhi muqabla karenge,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 21- Muslim bin Aqeel Raz.aur ibne Ziyaad ka maamla ※*
*◈_ Ibne Ziyaad ne kaha:- Ey Muslim! Tune bada zulm kiya k Musalmano ka nazam ek kalma tha, sab ek imaam ke taabe the, tumne aakar inme tafarruqa daala aur logo ko apne Ameer ke khilaf bagawat per aamada kiya,”*
*⇨ Muslim bin Aqeel Raz.ne farmaya, k” maamla ye nahi he balki is shehar kufa ke logo ne khutoot likhe k tumhare baap ne inke nek aur shareef logo ko qatl kar diya, unka khoon nahaq bahaya aur yaha ke awaam per kisra v qaisar jesi hukumat karni chahi, isliye hum majboor hue k adal qaa’im karne aur kitaab sunnat ke ahkaam nafiz karne ki taraf logo ko bulaye aur samjhaye,”*
*⇨Is per ibne Ziyaad aur zyada bigad gaya, uske hukm ke muwafiq unko shaheed karke niche daal diya gaya, ( inna lillahi va inna ilayhi raajioun )*
*◈_ Hazrat Muslim bin Aqeel Raziyallahu anhu ko qatl karne ke baad Haani bin Urva ko bazaar me lejakar qatl kiya gaya,*
*⇨Ibne Ziyaad ne in dono ke sar kaat kar Yazeed ke paas bhej diye,*
*⇨ Yazeed ne shukriya ka khat likha k mujhe ye khabar mili he k Husain Raz. Iraaq ke qareeb pahunch gaye hai’n, isliye jasoos saare shehar me fela do aur jis per zara bhi Husain Raz.ki taa’id ka shubha ho usko qaid kar lo magar Siva uske Jo tumse muqabla kare kisi ko qatl na Karo,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 22- Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ka Kufa Jane ka Azm ※*
*◈_ Hazrat Husain Raz.ke pass ahle Kufa ke 150 khutoot aur bahut se vafood pehle pahunch chuke the,*
*→ fir Muslim bin Aqeel Raz. ne 18 hazaar muslmano ki bait ki khabar ke saath unhe kufa aane ki dawat de di thi, to Hazrat Husain Raz.ne kufa Jane ka azm kar liya,*
*→ lekin jab ye baat mashhoor hui to bajuz Abdullah bin Zubair Raz.ke aur kisi ne bhi kufa Jane ka mashwara nahi diya, bahut se hazraat aapki khidmat me hazir hue aur ahle Kufa v Iraaq ke vaado, baito per bharosa na karne ka aur waha Jane me bada khatra hone ka mashwara diya,*
*▣ 23- Hazrat Abdullah ibne Abbas Raziyallahu Anhu ka Mashwara ▣*
*◈_ Ibne Abbas Raz.ko jab Hazrat Husain Raz.ke iraade ki khabar hui to tashreef laye aur farmaya,_” Bhai me isse aapko khuda ki panah me deta hu’n, Khuda ke liye Aap mujhe ye batae k Aap kisi esi qaum ke liye ja rahe hai’n jinhone apne ouper musallat hone wale Ameer ko qatl kar diya• aur wo log apne shehar per qaabiz ho chuke hai’n aur apne dushmano ko nikaal chuke hai’n to beshak aapko unke bulawe per foran chale Jana chahiye, ”*
*→Hazrat Husain Raz.ne iske jawab me farmaya,_” Achchha me Allah se istkhara karta hu’n, fir Jo kuchh samajh me aa’ega amal karunga, ”*
*◈_ Doosre roz ibne Abbas Raz.fir tashreef laye aur farmaya,→ ” bhai me sabr karna chahta hu’n magar sabr nahi hota, mujhe aapke is qadam se halakat ka sakht khatra he, Ahle Iraaq bewafa ahad shikan log hai’n,→Aap unke paas na jaye, Aap ahle hijaaj ke Muslim rehnuma aur sardaar hai’n aur agar ahle Iraaq aapse mazeed taqaza kare to aap unko likho k pehle Ameer v Hukkam ko apne shehar se nikaal do fir mujhe bulao,*
*→• mere bhai agar aap Jana hi taiy kar chuke hai’n to khuda ke liye aurto’n aur bachcho ko saath na le jaye, mujhe khof he k kahi aap isi tarah apni aurto’n aur bachcho ke saamne qatl kiye jaye jis tarah Hazrat Usman Raz.qatl kiye gaye,”*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_ 24- Hazrat Husain Raz.ki Kufa rawangi ※*
*◈_ Hazrat Husain Raz. apne nazdeek ek deeni zarurat samajhkar khuda ke liye azm kar chuke the,*
*◈_ Mashwara dene walo ne unko khatraat se aagah kiya magar maqsad ki ahmiyat ne unko khatraat ka muqabla karne ke liye majboor kar diya,*
*◈_ Aur Zilhijja 60 ki 3 ya 8 tareekh ko aap rawana ho gaye us waqt Yazeed ki taraf se Makka ka hakim Amr bin Sa’ad bin Aas muqarrar tha,*
*→ usko unki rawangi ki khabar mili to chand aadmi raaste per unko rokne ke liye bheje, lekin Hazrat Husain Raz.ne waapsi se inkaar farmaya aur aage bad gaye,*
*▣ 25- Farzooq Sha’ir se Mulaqat ▣*
*◈ _Raaste me Farzooq Sha’ir Iraaq ki taraf se aata hua mila, Husain Raziyallahu Anhu ne usse puchha,_ahle Iraaq ko tumne kis haal me chhoda,*
*"_Farzooq ne jawab diya_‘” Ahle Iraaq ke quloob to aapke saath he magar unki talware bani umaiya ke saath he aur taqdeer aasman se naazil hoti he aur Allah ta’aala Jo chahta he karta he,”*
*◈_ Hazrat Husain Raz.ne farmaya:-,”_ tum sach kehte ho, Allah hi ke haath me tamaam kaam he wo Jo chahta he karta he aur hamara rab har roz ek nayi shaan me he, Agar taqdeer ilaahi hamari muraad ke muwafik hui to hum Allah ka shukr karenge aur shukr karne me bhi unhi ki i’aanat talab karte hai’n k adae shukr ki tofeeq de aur agar taqdeer ilaahi hamari muraad me haa’il ho gayi to wo shakhs khata per nahi jiski niyat haq ki himayat ho aur jisse dil me khof e khuda ho”*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 26- Hazrat Husain Raz.ka khwab aur Azm ki vajah ※*
*◈_ Hazrat Abdullah bin Jaafar Raz. ne jab Hazrat Husain Raz.ki rawangi ki khabar suni to apne beto ko khat dekar tezi se rawana kiya k unhe raaste me hi rok do,*
*•→ ye khat likhkar pehle Abdullah bin Jaafar Raz. Yazeed ki taraf se wali e Makka Amr bin Sa’ad ke paas tashreef le gaye aur unse vaada e tehreer likhwaya k wapas aa jaye to unke saath Makka me achchha sulook kiya jaega,*
*◈_ Jab ye khat Hazrat Husain Raz.ke pass pahuncha to us waqt aapne apne azm ki ek aur vajah bayaan ki mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me dekha,*
*→aur mujhe Aap Sallallahu Alaihivasallam ki taraf se ye hukm diya gaya he, me is hukm ki baja aawri ki taraf ja raha hu’n, chahe mujh per kuchh bhi guzar jaye,*
*"_Unhone puchha k khwab kya he? Farmaya k ” ्Aaj tak mene wo khwab kisi se bayan nahi kiya he, na karunga yaha tak k me apne parvardigar se ja milu,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 27- Kufa walo ke Naam Hazrat Husain Raz.ka Khat ※*
*◈ _Hazrat Husain Raz.jab maqaam e Haajir per pahunche to ahle Kufa ke naam ek khat likh kar Hazrat Qais ke haath rawana kiya,*
*⇨ khat me apne aane ki ittela aur jis kaam ke liye unko ahle Kufa ne bulaya tha usme puri koshish karne ki hidayat thi,*
*◈_ Hazrat Qais jab ye khat lekar Qaadsiya tak pahunche to waha unko giraftar kar Ibne Ziyaad ke paas bhej diya gaya,*
*⇨Ibne Ziyaad ne unko hukm diya k kasre imarat ki chhat se ( m’aazallah) Hazrat Husain Raz.per Sab v Shitam aur laan taan kare,*
*→ magar Hazrat Qais ne buland awaaz se Hazrat Husain Raz.ke aane ka maqsad ko bayaan kar diya,*
*⇨ isse naraaz hokar ibne Ziyaad ne unko kasr ki bulandi se fek dene ka hukm diya aur Hazrat Qais shaheed kar diye gaye,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 28- Muslim bin Aqeel Raz.ke qatl ki khabar pakar Hazrat Husain Raz.ka sathiyo se mashwara ※*
*◈_ Raaste me ek padaav per achanak Abdullah bin Mati’a se mulaqaat hui, unhone bhi kaha:-*
*”_ Ey ibne Rasulullah ! Me aapko Allah ka aur izzate islam ka vaasta dekar kehta hu k Aap is iraade se ruk jaye,*
*→Aap agar banu umaiya se unki iqtdaar ko lena chahenge to wo Aapko qatl kar denge, Aap esa hargiz na kare, Aap kufa na jaye, ”*
*⇨ magar Hazrat Husain Raz. ne apna iraada nahi badla,*
*◈_ Maqaame Sa’albiya me pahunchkar Aapko Muslim bin Aqeel Raz.ke qatl ki khabar mili Jo Muhammad bin As'as ke bheje hue qasid ne di,*
*⇨ye khabar sunkar Aapke baaz saathiyo ne bhi aapse wapas laut Jane ka israar kiya, magar Banu Aqeel josh me aa gaye aur kehne lage k hum Muslim bin Aqeel Raz.ka badla lenge ya unki tarah jaan de denge,*
*→ Baaz saathiyo ki ye raay thi k Aap Muslim bin Aqeel Raz.nahi hai’n, Aapki shaan kuchh aur he, Hume ummeed he jab Ahle Kufa Aapko dekhenge to Aapke saath ho jaa’enge,*
*◈_ Yaha’n tak k fir aage badna tai karke safar kiya gaya aur Maqaame Ziyala pahunch kar padaav dala,*
*⇨ Yaha’n ye khabar mili k Aapke razai bhai Abdullah ibne laqeet jinko raaste se Muslim bin Aqeel Raz.ki taraf bheja gaya tha unko bhi qatl kar diya gaya,*
*→is khabar ke baad Hazrat Husain Raz.ne apne saathiyo ko jama karke farmaya,:-*
*”_ Ahle Kufa ne hume dhokha diya he, Ab jiska ji chahe wapas ho jaye,me kisi ki zimmedari apne sar lena nahi chahta _”*
*◈_ is elaan ke baad raaste se saath hone wale log sab chal diye aur ab Hazrat Husain Raz.ke saath sirf wahi log reh gaye Jo Makka se unke saath the,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_ 29-Ibne Ziyaad ki taraf se Har bin Yazeed Ek Hazaar ka Lashkar lekar Pahuncha ※*
*◈_ Raaste me dopahar ke waqt door se ghudsawar fauj nazar aayi,⇨ye dekh kar Hazrat Husain Raz.aur unke saathiyo ne ek pahaad ke nazdeek pahunch kar muhaaz jung banane me masroof hi the k Har bin Yazeed ki fauj muqable per aa gayi,*
*→Hazrat Husain Raz.ne apne saathiyo se farmaya, khoob paani pikar aur ghodo ko pilakar sairaab ho jao,*
*◈_ Yaha’n Namaze zuhar ka waqt aa gaya aur sab namaz ke liye jama ho gaye, Hazrat Husain Raz.ne fareeq muqabil ko sunane ke liye ek taqreer farmayi:-*
*⇨Taqreer sunkar sab khamosh rahe, Hazrat Husain Raz.ne namaz ke liye aqaamat kehne ka hukm diya aur Har bin Yazeed se farmaya, Tum apne lashkar ke saath alag namaz padoge ya humare saath,*
*” _Har ne kaha, k nahi hum sab Aapke pichhe namaz padenge, Hazrat Husain Raz.ne namaz zuhar padaai aur apni jagah tashreef le gaye,*
*◈_ Fir namaze Asar bhi Aapne padai aur sab shareek hue, Asar ke baad Aapne ek khutba diya, jisme apne aane ka maqsad bayaan kiya,*
*◈_ Har bin Yazeed ne kaha k hume khutoot aur vafood ki koi khabar nahi,,*
*⇨ Aapne 2 thele Jo khutoot se bhare hue the aur un logo ke saamne udel diye,*
*→Har bin Yazeed ne kaha k,_” beharhaal hum in khutoot ke likhne wale nahi hai’n, Hume ameer ki taraf se ye hukm mila he k hum Aapko us waqt tak na chhode jab tak ibne Ziyaad ke paas kufa na pahuncha de, ”*
*⇨ Hazrat Husain Raz.ne jawab diya,_” isse to maut behtar he, ”*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_ 30- Har bin Yazeed ka Aitraaf ※*
*◈_ Har bin Yazeed ne Hazrat Husain Raz.se kaha k,_” mujhe aapke qitaal Ka hukm nahi diya gaya he balki me aapse us waqt tak juda na hou jab tak aapko kufa na pahuncha du,*
*"_ isliye Aap esa kar sakte hai’n k koi esa raasta akhtyar kare Jo na kufa pahunchaye na Madina, Yaha tak k me ibne Ziyaad ko khat likhu aur Aap bhi Yazeed ko ya ibne Ziyaad ko likhe, Shayad Allah ta’aala mere liye koi esa mukhlis paida kar de k me aapke muqable aur aapki iza se bach jau,*
*◈_ Isliye Hazrat Husain Raz.ne Azeeb aur Qadsiya ke raaste se baayi janib chalna shuru kar diya aur Har bin Yazeed bhi laskar ke saath chalta raha, is dauran Hazrat Husain Raz. ne teesra khutba diya,*
*◈_ Har bin Yazeed kuchh to pehle se ahle bait ka ahatram dil me rakhta tha kuchh Aapke khutbo se mutassir ho raha tha,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 31- Tirmah bin Adi ka mashvara ※*
*◈_ isi haal me 4 aadmi kufa se Hazrat Husain Raz.ke madadgar pahunche jinka sardar Tirmah bin Adi tha,*
*⇨ Har bin Yazeed ne chaha k unhe giraftar kare ya kufa wapas kar de, magar Hazrat Husain Raz. ne farmaya k :,_” ye mere madadgar aur rafeeq hai’n, inki esi hi hifazat karunga jesi apni jaan ki, Har bin Yazeed ne unko ijazat de di,”*
*◈_ Hazrat Husain Raz.ne in logo se kufa ka haal daryaft kiya, unhone bataya k, ” Kufa ke bade bade sardaro ko badi badi rishwate de di gayi he, ab wo sab aapke mukhalif hai’n, albatta awaam ke quloob aapke saath hai’n ,*
*→ magar iske bavjood jab muqabla hoga to talwaare unki bhi aapke muqable per aa’engi,*
*→me dekhta hu’n aapke saath to koi kuvvat aur jama’at nahi, me kufa se nikalne se pehle itna bada lashkar dekh chuka hu’n Jo isse pehle meri aankh ne na dekha tha,*
*⇨ me aapko khuda ki qasam deta hu’n Aap ek balisht bhi unki taraf na bade, Aap mere saath chale, Aapko apne pahada aaja me thehraunga Jo nihayat mehfooz qila jesa he, fir aaja aur salmi do no pahadi kabile ke log aapki madad ko aa jaa’enge,*
*→ Is waqt agar aapki raay muqable ki hi he to me aapke liye 20 hazaar bahadur sipahiyo ka jimma leta hu’n,*
*◈_ Hazrat Husain Raz.ne farmaya,_” Allah ta’aala aapki qaum ko jaza e khair de, magar hamare aur Har bin Yazeed ke darmiyan ek baat Tai ho chuki he, ab uske paband hai’n aur hume kuchh pata nahi k humare saath kya hone wala he,”*
*◈_ Tirmah bin Adi rukhsat ho gaye aur apne saath samaane rasad lekar dobara aane ka vaada kar gaye, aur fir aaye bhi magar raaste me Hazrat Husain Raz.ki Shahadat ki galat khabar sunkar lot gaye,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 32- Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ka Khwab ※*
*◈_ Nasr bani Muqatal per pahunch kar aapko zara ganudgi hui to ” inna lillah” kehte hue bedaar hue,*
*⇨Aapke Sahabzade Ali Akbar Raz.ne suna to ghabrakar saamne aaye, puchha Abba jaan kya baat he?*
*"_Aapne farmaya,:-”_ mene khwab me dekha koi ghudsawar mere pass aaya aur usne kaha k kuchh log chal rahe hai’n aur unki maut unke saath chal rahi he, isse me samjha k ye hamari maut ki khabar he, ”*
*→Sahabzade ne arz kiya, Kya hum haq per nahi he? Farmaya –:”_ Qasam us zaat ki jiski taraf sab bandgane khuda ka ruju’a he bila subha hum haq per hai’n,”*
*→ Arz kiya –:“Fir hume kya dar he jab k hum haq per mar rahe hai’n, ”*
*◈_ Hazrat Husain Raz.ne unhe shabash di,farmaya –:-” Allah ta’aala tumko jaza e khair ataa kare tumne apne baap ka sahi haq ada kiya,”*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 33- Ashabe Husain Raz. Ka iraada e qitaal aur Hazrat Husain Raz. Ka Jawab k me Qitaal nahi karunga ※*
*◈_ Maqaame Nenvi per ek sawaar Har bin Yazeed ke liye ek khat lekar aaya jisme likha tha k Jis waqt tumhe mera ye khat mile tum Husain ( raz.) Per maidan tang kar do,*
*→ aur unko ese khule maidan ki taraf le jao jaha paani na ho,*
*→aur mene qasid ko hukm diya he k jab tak mere is hukm ki tameel na kar do tumhare saath rahega,”*
*◈ _Har bin Yazeed ne ye khat Hazrat Husain Raz.ko bhi suna diya k is waqt mere sar per jasoos musallat he, me is waqt koi masalhat nahi kar sakta,*
*◈_ Us waqt Zubair bin Alqeen Raz.ne arz kiya k ,:-” har aane wali ghadi ek mushkilaat me izaafa kar rahi he, aur hamare liye is lashkar se qitaal karna asaan he banisbat uske Jo iske baad aaega, ”*
*◈_ Hazrat Husain Raz.ne farmaya,:-” me qitaal me pehal nahi karna chahta,”*
*Zubair Raz.ne kaha k,:-” Aap qitaal me pahal na kare balki hume us basti me le jaye Jo hifazat ki jagah ho aur dariya e faraat ke kinare per ho, is per agar ye log hume waha Jane se roke to hum qitaal kare, ”*
*⇨ Aapne puchha,:-” ye konsi jagah he?*
*Kaha gaya,” Aqar he, Aapne farmaya ,_“me Aqar se panah maangta hu’n,”*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 34- Amr bin Sa’ad ka lashkar aur Paani band karne ka hukm ※*
*◈ _Ibne Ziyaad ne Amr bin Sa’ad ko majboor karke fauj ke saath muqable ke liye bhej diya, Amr bin Sa’ad ne aakar Hazrat Husain Raz. se Kufa aane ki vajah puchhi,*
*→ Aapne saara kissa bayaan kiya aur farmaya, ”_agar ab bhi unki raay badal gayi he to me wapas Jane ke liye taiyaar hu’n,”*
*◈_ Amr bin Sa’ad ne ibne Ziyaad ko is mazmoon ka khat likha k Husain ( raz ) wapas Jane ko taiyaar hai’n,*
*⇨ Ibne Ziyaad ne jawab diya k ,:-” Husain ( raz.) ke saamne sirf ek baat rakho k Yazeed ke haath per Bait kare, Jab wo esa kare to fir hum gor karenge k unke saath kya maamla kiya jaye,”*
*→ aur Amr bin Sa’ad ko hukm diya k un per paani band kar do,*
*◈_ aur paani band kar diya gaya, ye waaqia Shahadat se 3 din pehle ka he, Yaha'n tak k jab ye sab hazraat pyaas se pareshan ho gaye to Hazrat Husain Raz.ne apne bhai Abbas bin Ali Raz. ko 30 pyado ke saath paani lene bheja,*
*⇨ Paani lane per Amr bin Sa’ad ki fauj se muqabla bhi hua, magar 20 mashke paani bhar laye, iske baad Amr bin Sa’ad ke paas baat cheet ka paigam bheja,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_ 35- Hazrat Husain Raz. Ka irshad k 3 baato me se koi ek akhtyar kar ※*
*◈_ Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ne farmaya k:- ”_ humare bare me Aap 3 surato me se koi akhtyar kar lo,*
*→•1- me jaha se aaya hu’n wahi wapas laut jau'n,*
*→••2- ya me Yazeed ke paas pahunch jau'n aur khud usse apna maamla Tai kar lu'n,*
*→•3- ya mujhe musalmano ki kisi sarhad per pahunchado Jo haal waha ke aam logo ka hoga me usi me basar kar lu,*
*⇨( Baaz ulema ne akhri 2 surato ka inkaar kiya he)*
*◈_ Amr bin Sa’ad ne ye sunkar fir ibne Ziyaad ke paas khat likha k:- ”_ Allah ta’aala ne jung ki aag bujha di aur musalmano ka kalma muttafiq kar diya,*
*"_mujhe Hazrat Husain Raz. ne 3 surato ka akhtyar diya he aur zaahir he inme aapka maqsad pura hota he aur ummat ki isme salaah v falaah he_,"*
*▣_ 36-Ibne Ziyaad ka Sharto ko Qubool karna aur Shimar ka inkaar ▣*
*◈_ Ibne Ziyaad bhi Amr bin Sa’ad ke is khat se mutassir hua aur kaha k, ” ye khat ek ese Aadmi ka he Jo Ameer ki itaat bhi chahta he aur apni qaum ki aafiyat ka bhi khwahishmand he, humne ise qubool kar liya,”*
*◈_ Shimar Ziljoshan ne kaha k ,”_ kya Aap Husain (raz.) Ko mohlat dena chahte hai’n k kuwwat hasil karke fir tumhare muqable per aaye, wo agar aaj tumhare haath se nikal gaye to fir kabhi un per qaabu na pa sakoge,*
*→ Aap unhe majboor kare k wo aapke paas aaye fir chahe aap saza de ya maaf kare, ”*
*◈_ Ibne Ziyaad ne Shimar ki raay qubool karke Amr bin Sa’ad ko isi mazmoon ka khat khud Shimar ke haath bheja aur ye hidayat di k:-”_ agar Amr bin Sa’ad hukm ki tameel foran na kare to use qatl kar diya jaye aur uski jagah tum khud lashkar ke Ameer ho_"*
*⇨ Shimar ko rawana hone se pehle khayal aaya k Hazrat Husain Raz. ke saathiyo me uske fufizaad bhai bhi hai’n, ibne Ziyaad se unke liye amaan liya aur rawana ho gaya,*
*◈_ 9 Muharram ki tareekh ko jab Shimar khat lekar pahuncha to Amr bin Sa’ad sab samajh gaya k ye sab surat Shimar ki vajah se pesh aayi he, kaha k:-*
*”_ tumne bada zulm kiya, musalmano ka kalma muttafiq ho raha tha usko khatm karke qatl v qitaal ka bazaar garm kar diya,”*
*◈_ jab Hazrat Husain Raz. ko ye pegaam pahunchaya gaya to Aapne isko qubool karne se inkaar kar diya k is zillat se maut behtar he,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣_ 37- Hazrat Husain Raz. ka Huzur Sallallahu Alaihivasallam ko Khwab me dekhna ▣*
*◈_ Hazrat Husain Raziyallahu Anhu apne kheme me bethe the k isi haalat me kuchh oungh aakar aankh band ho gayi k ek awaaz ke saath bedaar hue,*
*⇨ Aapki hamshira Hazrat Zenab Raz. daudi aayi to farmaya k ,”_ Mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me dekha farmaya k ab hamare paas aane wale ho, ”*
*◈_ Hamshira ye sun kar rone lagi, Hazrat Husain Raz. ne unhe tasalli di,*
*→ isi haalat me Shimar lashkar lekar saamne aa gaya aur bila mohlat qitaal ka elaan sunaya,*
*⇨ Hazrat Husain Raz.ne ek raat ki mohlat maangi k me aaj ki raat vasiyat aur namaz aur dua v istagfaar kar saku,*
*→Shimar ne mashwara karke mohlat de di,*
*▣ 38- Hazrat Husain Raz. Ki Taqreer ▣*
*◈_ Hazrat Husain Raz.ne apne ahle bait aur ashaab ko jama kiya aur ek khutba diya jisme Hamd v sana, Darood v Salaam ke baad farmaya k,*
*”_ Me samajhta hu’n kal hamara akhri din he, me aap sabko khushi se ijazat deta hu’n k sab is raat ki tareeki me mutfarriq ho jao aur jaha panah mile chale jao aur mere ahle bait me se ek ek ka haath pakad lo aur mukhtalif ilaaqo me fel jao,*
*→ kyuki dushman mera talabgar he, wo mujhe pa’ega to doosro ki taraf iltfaat na karega, ”*
*◈_ Ye taqreer sunkar Aapke bhai, aulaad, bhaiyo ki aulad, aur Abdullah bin Jaafar Raz.ki aulad, Banu Aqeel sab ek awaaz hokar bole,*
*”_ wallah hum hargiz na ja’enge, hume Allah ta’aala aapke baad baaqi na rakhe,”*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 39- Ahle bait ko Vasiyat ※*
*◈_ Hazrat Husain Raz. ne apni hamshira Hazrat Zenab Raz.aur ahle bait ko vasiyat ki,*
*” _me tumhe khuda ki qasam deta hu’n k tum meri shahadat per tum na kapde faadna, aur seena kubi vagera hargiz na karna, awaaz se rone aur chillane se bachna, ”*
*⇨ ye vasiyat karke Aap aur tamaam ashaab Shabe Tahajjud aur Dua v istagfaar me mashgool ho gaye,*
*◈_ Ye ashura ki raat thi aur subeh ko Yome AshUra aur roze Juma tha,*
*▣ 40 – Har bin Yazeed Hazrat Husain Raz. ke saath ▣*
*◈_ Subeh namaz se farig hote hi Amr bin Sa’ad Lashkar lekar saamne aa gaya, Hazrat Husain Raz. ke saath us waqt 72 ashaab the, 30 sawaar the aur 40 pyade the, Aapne bhi muqable ke liye safbandi farmai,*
*◈_ Amr bin Sa’ad ne apne Lashkar ko 4 hisso me taqseem karke har hisse ka ek Ameer banaya tha, unme ek hisse ka Ameer Har bin Yazeed tha,*
*→(Jo sabse pehle ek hazar ka lashkar lekar bheja gaya tha, aur Hazrat Husain Raz.ke saath saath chal raha tha, aur unke khutbo se mutassir ho chuka tha, uske dil Ahle Bait athaar ki muhabbat ka jazba bedaar ho chuka tha,)*
*→Apna ghoda dodakar Hazrat Husain Raz.ke Lashkar me aa mila aur arz kiya:-” _mujhe andaza nahi tha k ye log aapke khilaf is had tak pahu'nch jayenge, agar me jaanta to hargiz aapko na rokta, ab meri saza yahi he k me aapke saath qitaal karta hua apni jaan de du, ”*
*"_aur esa hi hua,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※_ 41- Dono lashkaro ka Muqabla aur Hazrat Husain Raz. Ka Khitaab ※*
*◈_ Hazrat Husain Raz. ghode per sawaar hue aur aage badkar ba awaaz buland farmaya,-”_ logo meri baat suno, zaldi na Karo, taki me haq nasihat kar du Jo mere jimme he aur taki me apne yaha aane ki vajah bata du, fir agar tum mera uzr qubool Karo aur meri baat ko sachcha jano aur mere saath insaaf Karo to isme tumhari falaah v sa’adat he aur fir tumhare liye mere qitaal ka koi raasta nahi, aur agar mera uzr qubool na Karo to tum sab milkar muqarrar Karo apna kaam aur jama karlo apne shareeko ko k na rahe tumko apne kaam me shub'ha, fir kar guzro mere saath aur mujhe mohlat na do,*
*→( Ye wahi alfaaz hai’n Jo Hazrat Nooh Alaihissalam ne apni qaum se kahe the)*
*◈_ Hazrat Husain Raz. ke ye alfaaz behno aur aurto’n ke kaano me pade to jabt na kar saki, rone ki awaaze buland ho gayi,*
*→Hazrat Husain Raz. ne apne Bhai Abbas Raz. ko bheja k inko nasihat karke khamosh karaye, aur us waqt farmaya:-*
*”_ Allah ta’ala ibne Abbas per raham farmaye, unhone sahi kaha tha k aurto’n ko saath na le jao, ”*
*◈_ Hamd v Sana ke baad farmaya:-”_ Ey logo.! tum mera nasab dekho me kon hu’n, fir apne dilo me gor Karo k kya ye tumhare liye jaa’iz he k tum mujhe qatl Karo? Kya me tumhare Nabi ﷺ ki Sahabzadi ka beta nahi hu’n? Kya me us baap ka beta nahi hu’n Jo Rasulullah ﷺ ka chachazad Bhai wasi ul momineen billah tha,?*
*"_Kya Sayyadul Shohda Hazrat Hamza Raz. mere Baap ke chacha nahi? Kya Jaafar Tayaar mere chacha nahi?*
*→Kya tumhe ye hadees Mash'hoor nahi pahu'nchi k Rasulullah ﷺ ne mujhe aur mere bhai Hasan ko Sayyada Shabab Ahlal Jannat aur apni Aa'nkho ki thandak farmaya?*
*"_ Agar tumhe meri baat ka yaqeen nahi to tumhare andar ese log mojood hai’n jinse iski tasdeek ho sakti he, Kya ye cheeze tumhare liye mera khoon bahane se rokne ke liye kafi nahi he, Mujhe batao k mene kisi ko qatl kiya he k jiske qasaas me mujhe qatl kar rahe ho, ya mene kisi ka maal luta he ya kisi ko zakhm diya he,”*
*◈_ iske baad Hazrat Husain Raz. ne kufa ke bade sardar logo ka naam lekar pukara,” _Ey Sheesh bin Rabi, Ey Hijaz bin Jahra, Ey Qais bin Ashas, Ey Zaid bin Haris kya tum logo ne mujhe bulane ke liye khutoot nahi likhe?”*
*◈ Ye sab log mukar gaye k humne nahi likhe, Hazrat Husain Raz. ne farmaya:-”_ mere pass tumhare khutoot mojood hai’n, iske baad farmaya, ”_ Ey logo agar tum mera aana pasand nahi karte to mujhe chhod do, me kisi esi zameen me chala Jau'nga jaha mujhe Amaan mile, ”*
*→Qais bin Ashas ne kaha k,” _Aap apne chachazad Bhai ibne Ziyaad ke hukm per kyu nahi utar aate, wo fir aapke bhai hai’n Aapke saath bura sulook nahi karenge, ”*
*"_Hazrat Husain Raz. ne farmaya,” _Muslim bin Aqeel Raz. ke qatl ke baad bhi tumhari yahi raay he? Wallah me isko kabhi qubool nahi karunga, ”*
*◈ _iske baad Hazrat Zubair bin Alqeen Raz. ne nasihat ki k apni is harkat se baaz aa jao Zalimo ab bhi hosh me aao, Fatma Raz. ka beta Sumayya ke bete ( ibne Ziyaad) se zyada muhabbat v ikraam ka mustahiq he,”*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*※ 42- Shimar ka pehla Teer ※*
*◈_ Jab guftgu taveel hone lagi to Shimar ne pehla teer chala diya,*
*→ Jab Har bin Yazeed ne khitaab kiya to un per bhi teer feke gaye,*
*◈_ iske baad teerandazi ka silsila shuru ho gaya, dushmano ke bhi kaafi aadmi maare gaye, Hazrat Husain Raz.ke rafqaa bhi baaz shaheed ho gaye,*
*◈ _Ghamasan ki jung hui, ghode chhod kar pyade aa gaye, Ab dushmano ne khemo me aag lagana shuru kar diya,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ 43- Ghamasaan me Namaze Zuhar ka Waqt ▣*
*◈ _Hazrat Husain Raz. ke aksar ashaab shaheed ho chuke the aur dushmano ke daste Hazrat Husain Raz. ke qareeb pahunch chuke the,*
*→Abu Shamama Sa’adi ne arz kiya k,*
*”_ meri jaan aap per qurban ho me chahta hu k aapke saamne qatl kiya jau, lekin dil ye chahta he k Zuhar ka waqt ho chuka he, ye namaz ada karke parvardigar ke saamne jau,*
*◈_ Hazrat Husain Raz. ne awaaz buland karke farmaya, ”_ Jung multavi karo yaha tak k hum namaz pad le, ”*
*"_ Esi ghamasaan jung me kon sunta aur Abu Shamama isi haalat me shaheed ho gaye,*
*⇨ unke baad Hazrat Husain Raz. ne apne chand ashaab ke saath namaze Zuhar salatul khof ke mutabik Ada ki, Namaz ke baad fir qitaal shuru hua, Har koi chahta tha k me Hazrat Husain Raz. ke saamne pehle shaheed ho jau, isliye har shakhs nihayat shiddat v shuja’at se muqabla kar raha tha,*
*→Hazrat Husain Raz.ke bade sahabzade Hazrat Ali Akbar Raz. ye sher padte hue aage bade:-*
*⇨( Tarjuma ):- Me Husain bin Ali Raz. ka beta hu’n, Qasam he rabbul bait ki hum Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke qareebtar hai’n, ”*
*→ Kambakht Murrah bin Munqaz ne unko neza maarkar gira diya aur unki laash ke tukde tukde kar diye,*
*→Amr bin Sa’ad ne Hazrat Qasim bin Hasan Raz. ke sar per talwaar maari, Hazrat Husain Raz. ne daudkar unko sambhala, aur Amr per talwaar se hamla kiya jisse kuhni se uska haath kat gaya, Aapne apne bhatije ki laash ko uthaya aur apne bete aur doosre ahle bait ki laasho ke paas lita diya,*
*◈_ Hazrat Husain Raz. taqreeban tanha beyaar v madadgar reh gaye lekin unki taraf badne ki kisi ko himmat na thi, Hazrat Husain Raz. ke qatl aur uske gunah ko apne sar koi lena nahi chahta tha,*
*"_Yaha tak k qabila kundah ka ek shaqi ul qalb Malik bin Naseer aage bada aur Hazrat Husain Raz. ke sar per talwaar se hamla kiya, Aap shadeed zakhmi ho gaye, apne chhote bete Abdullah Raz. ko bulaya aur apni god me betha liya,*
*"_Bani Asad ke ek badnaseeb ne unko bhi teer maar kar shaheed kar diya, Hazrat Husain Raz. ne us masoom bachche ka khoon lekar zameen per bikher diya aur dua ki:-”_ Ya Allah ! Tu hi in zalimo se humara inteqam le,”*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ 44- Hazrat Husain Raz. Ki Shahadat ▣*
*◈_ Us waqt aapki pyaas had tak pahunch chuki thi, Aap paani pine ke liye dariya e faraat ke qareeb tashreef le gaye ,*
*→Zalim Husen bin Nameer ne aapke moonh per nishana karke Teer feka Jo aapko laga aur dahan Mubarak se khoon jaari ho gaya,*
*"_inna lillahi va inna ilayhi raajioun,*
*◈_ Shimar 10 Aadmiyo ko lekar Hazrat Husain Raz.ki taraf bada, Shadeed pyas aur zakhmo ke bavjood aap unka dilerana muqabla kar rahe the aur jis taraf Aap badte ye bhagte nazar aate,*
*⇨ Shimar ne jab ye dekha k Hazrat Husain Raz.ke qatl karne se har shakhs bachna chahta he to awaaz di k sab ek saath hamla Karo, is per bahut se badnaseeb aage bade, nezo aur talwaro se ek saath hamla kiya aur ye ibne Rasulullah, khaire khalkullah fil arz zalimo ka dilerana muqabla karte hue shaheed ho gaye,*
*"_inna lillahi va inna ilayhi raajioun,*
*◈_ Shimar ne khola bin Yazeed se kaha k inka sar kaat lo, magar uska haath kaanp gaya, fir Shaqi badbakht Sannan Bin Anas ne kaam anjaam diya,*
*⇨Aapki laash ko dekha to 33 zakhm nezo ke, 34 zakhm talwaro ke the,*
*“_Fa raziyallahu anhum va arzah varzuqna hubba va hab min vaalidah, ”*
*◈_ Hazrat Husain Raz.aur ahle bait ke qatl se farig hokar ye zalim Hazrat Ali Asgar zenul Abideen Raz.ki taraf mutavajjah hue,*
*⇨ Shimar ne unko bhi qatl karna chaha, Hameed bin Muslim ne kaha,*
*”_ Tum bachche ko qatl karte ho jab k wo mareez bhi he, ”*
*To Shimar ne unhe chhod diya,*
*→Amr bin Sa’ad ne kaha k aurto ke khemo ke paas koi na jaye aur is mareez bachche ko koi na chhede,*
*◈_ ibne Ziyaad ka hukm tha k qatl ke baad laash ko ghodo ki taapo se ronda jaye, un zalimo ne ye bhi kar dala,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ 45- Hazrat Husain Raz. aur unke Rafqa ke Sar Mubarak ibne Ziyaad ke Darbaar me ▣*
*◈_Jung ke khatme per maqtuleen ki shumar ki gayi to Hazrat Husain Raziyallahu anhu ke ashaab me 72 Hazraat shaheed hue aur Amr bin Sa’ad ke lashkar ke 88 sipahi maare gaye, Hazrat Husain Raz.aur unke Rafqa ko 2 din baad dafan kiya gaya,*
*◈_ Khola bin Yazeed aur Hameed bin Muslim in Hazraat ke saro ko lekar kufa rawana hue aur ibne Ziyaad ke saamne pesh kiya, ibne Ziyaad ne sabko jama karke saro ko saamne rakha aur ek chhadi se Hazrat Husain Raz.ke dahan Mubarak ko chhone laga, Zaid bin Arqam Raziyallahu Anhu se raha nahi gaya aur bol uthe,*
*⇨” k chhadi ko in mubarak honto se hata le, qasam he us zaat ki jiske Siva koi ma’abood nahi k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko dekha he k in honto ka bosa dete the,”ye kehkar ro pade,*
*⇨Ibne Ziyaad ne kaha k tum agar bude na hote to me tumhari bhi gardan uda deta,*
*→ Hazrat Zaid bin Arqam Raz.ye kehte hue bahar aa gaye k,*
*” Ey qaume Arab! tumne Saiyadunnisa Fatma ke bete ko qatl kar diya aur Marjana ke bete ko apna Ameer bana liya, wo tumhare achchhe logo ko qatl karega aur shariro ko gulam bana’ega, tumhe kya hua Jo is zillat per raazi ho gaye,”*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ 46- Baqiya Ahle bait Kufa me ▣*
*◈_ Amr bin Sa’ad 2 roz baad baaqi ahle bait ko lekar kufa pahuncha, aur sabko ibne Ziyaad ke saamne pesh kiya, ibne Ziyaad ne Hazrat Ali Asgar Raz.ko bhi qatl karne ka iraada kiya to Hazrat Ali Asgar Raz. ne kaha k mere baad in aurto’n ka kon kafeel hoga?*
*◈_Idhar Hazrat Zenab Raz.unki fufi unko lipat gayi aur kehne lagi,*
*“_Ey ibne Ziyaad! kya abhi tak humare khoon se Teri pyaas nahi bujhi, me tujhe khuda ki kasam deti hu’n, inko qatl kare to humko bhi inke saath qatl kar de, ”*
*Ali Asgar Raz. ne farmaya,“_, Ey ibne Ziyaad !! agar tere aur in aurto’n ke darmiyan koi qarabat ( rishtedari) he to inke saath kisi saleh muttaqi musalman ko bhejna, Jo islam ki taleem ke mutabik inki rafaqat kare, ”*
*→Ye sunkar ibne Ziyaad ne kaha,-”_ Achchha is ladke ko chhod do k ye khud apni aurto’n ke saath jaye, ”*
*◈_ iske baad ibne Ziyaad ne ek namaz ke baad khutba diya jisme Hazrat Husain Raz. Hazrat Ali Raz. Per sab v shitam kiya, us majme me ek naabina Sahabi Abdullah bin Afeef Azdi Raz. the, wo khade ho gaye aur kaha:-*
*→” Ey ibne Ziyaad.! tu kazaab bin kazaab he, tum Ambiya ki aulaad ko qatl karte ho aur Siddiqeen si baate banate ho, ”*
*⇨Ibne Ziyaad ne unhe giraftar karna chaha lekin unke qabile ke log khade ho gaye to unko chhod diya,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ 47- Sar Mubarak ko Kufa ke Bazaro me Firaya gayA ▣*
*◈ _ibne Ziyaad ki shaqawat ne isi per bas nahi kiya balki hukm diya k Hazrat Husain Raz. ke sar Mubarak ko ek lakdi per rakhkar kufa ke bazaro aur gali kucho me ghumaya jaye,,*
*⇨ iske baad mulke shaam Yazeed ke paas bhej diya gaya, aur saath hi aurto’n aur bachcho ko bhi rawana kar diya gaya,*
*◈_ inaam ke lalach me Har bin Qais Yazeed ke paas Fateh ki khabar lekar Pahu'ncha aur maidane karbala ki tafseel bayaan ki,*
*⇨ Ye haal sunkar Yazeed ki Aa'nkho se Aa'nsu beh nikle aur kaha,→” Me tumse itni hi ita'at chahta tha k bager qatl kiye giraftaar kar lo, Allah ta’ala ibne Sumaiya ( ibne Ziyaad) per laanat kare, usne inko qatl Kara diya, Khuda ki Qasam me waha'n hota to me maaf kar deta, Allah ta’ala Husain (Raz.) per raham farmaye, ”*
*◈_ Sar Mubarak jis waqt Yazeed ke saamne rakha gaya to Yazeed ke haath me ek chhadi thi aur Hazrat Husain Raz. ke daa'nto per chhadi fer kar ash'aar padne laga,*
*→” Hamari qaum ne hamare liye insaaf na kiya to hamari khoo’n chaka’n Talwaro ne insaaf kiya, jinhone ese mardo ke sar faad diye Jo hum per sakht the aur wo taalluqat qata’a karne wale zalim the,”*
*◈_ Hazrat Abu Barza Aslami Raziyallahu Anhu bhi wahi mojood the, Aapne kaha k:- “Ey Yazeed ! apni chhadi Hazrat Husain Raz.ke daa'nto per lagata he aur mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko dekha he k inko bosa dete the,”*
*"_Ey Yazeed! qayamat ke roz tu aaega to Teri shafa’at ibne Ziyaad hi karega aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhu aayenge to unke Shafi’ Muhammad Mustfa Sallallahu Alaihivasallam ho'nge”*
*"_Ye kehkar Abu Barza Raz. majlis se nikal gaye,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ 48- Yazeed ke Ghar Maatam ▣*
*◈ _Jab Yazeed ki bivi Hindah bint Abdullah ne ye suna k Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko qatl kar diya gaya aur unka sar Mubarak laya gaya he to wo chaadar oad kar bahar nikal aayi aur kehne lagi,*
*→ “Ey Amirul Momineen.! kya ibne binte Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath ye maamla kiya gaya he,”*
*→Usne kaha,-”Khuda ibne Ziyaad ko halaak kare usne jaldi ki aur qatl kar dala,”*
*"_Hindah sunkar ro padi,*
*◈_Yazeed ne kaha k Husain Raziyallahu Anhu ne ye kaha tha k Mera Baap Yazeed se aur Meri Maa'n Yazeed Ki Maa'n se aur Mere Dada Rasulallah ﷺ Yazeed Ke Dada se behtar hai'n,*
*"◈__inme Pehli baat k Mera Baap Behtar hai ya Unka iska Faisla To Allah Ta'ala karega, Wo Dono Waha'n pahu'nch chuke hai'n Allah hi jaanta hai k usne Kiske Haq me Faisla kiya hai,*
*"_ Aur Doosri baat k unki Walida meri Maa'n se behtar hai to Mai'n Qasam khata hu'n k beshak Sahi hai unki Walida Fatima Raziyallahu Anha meri Walida se behtar hai'n,*
*"_ Rahi Teesri baat k unke Dada se mere Dada se behtar hai'n So Ye esi baat hai k Koi Musalman jiska Allah aur Yaume Aakhirat per imaan hai iske Khilaaf nahi keh Sakta, Unki Ye Sab baate Sahi v Durust thi'n magar Jo Aafat aayi wo unki Samajh ki vajah se aayi,*
*◈_ Iske baad Aurte’n, bachche Yazeed ke saamne laaye gaye aur sar Mubarak majlis me rakha hua tha, Hazrat Husain Raz.ki dono sahabzadiya Fatima aur Sakina Raziyallahu Anhuma ki Nazar apne walid maajid ke sar per padi to besakhta rone lagi k awaaz nikal gayi,*
*⇨ unki awaaz sunkar Yazeed ki aurte’n bhi chilla uthi aur Yazeed ke ghar me ek maatam barpa ho gaya,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ 49- Ahle bait ki Madina Waapsi ▣*
*"◈_ Baaz Rivayaat me hai k Yazeed Shuru me Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ke qatl per Raazi tha aur unka Sar Mubarak laya gaya to khushi ka izhaar Kiya, iske baad jab Yazeed ki Badnami Saare Aalame islam me fail gayi aur Wo Sab Musalmano me Mabgooz ( Qabile Nafrat) ho gaya to bahut Naadim hua aur kehne laga, Kaash me takleef utha leta, aur Husain Raziyallahu Anhu ko Apne Saath Apne ghar me rakhta aur unko Akhtyar de deta k Jo wo Chahe'n kare'n,*
*"◈_ Agarche isme mere iqtidaar ko nuqsaan hi pahu'nchta, Kyu'nki Rasulullah ﷺ ka aur unka unki qarabat ka yahi Haq tha, Allah Ta'ala ibne Marjana per Laanat kare, usne Majboor kar ke qatl kar diya Hala'nki unhone kaha tha k mujhe Yazeed ke paas jane do ya kisi Sarhadi Muqaam per pahu'ncha do magar us Nalayaq ne Qubool na kiya aur unko Qatl kar ke Saari Duniya ke Musalmano me mujhe Mabgooz kar diya, unke Dilo me meri Adawat ka beej Bo diya, Har Nek v Bad mujhse bugz rakhne laga,*
*◈_ iske baad Ahle bait ko hifazat ke saath Madina ki taraf rawana kar diya gaya,*
*◈_ Hazrat Husain Raziyallahu Anhu aur unke ashaab ke qatl ki khabar jab Madina pahunchi to Madina me kohraam mach gaya, Madina ke daro diwaar ro rahe the aur jab ahle bait ke baqia nafoos Madina pahunche to Madina walo ke zakhm taza ho gaye,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ 50– Shahadat ke waqt Huzoor ﷺ ko Khwab me dekha gaya ▣*
*◈_ Behyqi ne Dala'il me ba-sanad rivayat likhi he k, Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu ne ek raat Huzoor ﷺ ko khwab me dekha k dopahar ka waqt he, Aap paraganda Baal pareshan haal hai’n, Aapke haath me ek sheeshi he jisme khoon he,*
*"_ ibne Abbas Raz. farmate hai’n k mene arz kiya k ‘ “isme kya he?”*
*"_Farmaya –”Husain ka khoon he, me Allah ta’ala ke saamne pesh karunga, ”*
*"_Hazrat ibne Abbas Raz. ne usi waqt Logo'n ko khabar de di k Husain Raz. shaheed ho gaye,*
*⇨is khwab se chand Roz baad shahadat ki khabar pahu'nchi aur hisaab lagaya gaya to theek wahi din aur wahi waqt aapki shahadat ka tha,*
*◈_ Tirmizi ne sulmi se rivayat kiya he k wo ek roz Hazrat umme Salma Raziyallahu Anha ke paas gaye to ro rahi thi, mene puchha to farmaya,*
*” _Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me is tarah dekha he k Aapke sar Mubarak aur daadi Mubarak per mitti padi hui he, ”*
*"_Mene puchha k ,”ye kya haal he? ”*
*"_Farmaya k ,”me abhi Husain ke qatl per mojood tha, ”*
*◈_ Abu Naiem ne Dala'il: me Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha se Rivayat kiya he k Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ke qatl per mene Jinnat ko rote dekha he,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ 51-Hamara Amal kya Hona chahiye ▣*
*◈_ Agar Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki zaat v sifaat ka zikr aayega to hum bila shubha sar jhuka denge, aur unke naqse qadam per sar ke bal chalne ko bhi imaan v sa’adat samjhenge,*
*⇨ Aur Yazeed aur uske qaba’ir v misaal ba uyoob saamne aayenge to hum asal haqeeqat ko samajh kar khamoshi akhtyar karne ko makool jazba samjhenge,*
*⊙_ Ab uska maamla Allah ta’aala ke saath he humare saath nahi_,⊙*
*® Hazrat Maulana Qari Taiyab Sahab •☆*
*▣ 52-Waq’aa e Karbala ka Ranj v Alam ▣*
*◈_ Har kalmago chahe shiya ho ya sunni, sabko is dahshatnaak aur dard angez waq’aa se be inteha ranj v alam he,*
*⇨koi nahi Jo Hazrat Husain Raz. ki mazlumiyat se magmoom na ho, Taqriban 1374 saal guzarne ke bavjood is waq’aa ko koi bhool nahi paya iski yaad taaza apne seeno me rehti he,*
*▣_ 53- Izhare Gam ke Tareeqe Me Farq _▣*
*◈_ Ahle sunnat wal jama’at is dardnaak waq’aat ko apne seene me rakhne ke bavjood ek bahadur sahibe waqaar insaan ki tarah sanjeedgi ko haath se jaane nahi dete,*
*⇨Jabki iske khilaf Shiya logo ne is ranj v alam ka izhaar karne ke liye Sunnat se Moo'nh mod liya aur 10 vi muharram ko izhaare gam ka wo tareeqa akhtyar kar liya Jo na-jaa’iz aur haraam he,*
*⇨jinse musalmano ke aqa’id faasid hote hai’n, Shiya logo ke Kamzor tabiyat ke rehnuma apne faayde ki khatir haq ko chhipate hai’n aur akhirat ke nata’ij ko nazar andaaz karte hai’n,*
*⇨ Afsos ye he k aaj bahut se hamare Sunni bhai bhi inki pervi kar rahe aur apni akhirat kharab kar rahe,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ 54- Taaziyadari ke Mutalliq Ulma E Ahle Sunnat Ka Faisla ▣*
*◈_Hazrat Shah Abdul Aziz Rh. Muhaddis Dehlvi Fatawa Azizi matbua muztabai, Safa 74 per likhte hai’n:-*
*"_ Taaziyadari Bid’at he aur Bid’ate Shiya he aur Bid’ate Shiya isme shamil hone walo ko khuda ki Laanat me giraftaar kar deti he, aur uske Fara'iz aur nawafil bhi baargahe ilaahi me maqbool nahi hote, ”*
*■ Marsiya khwani ki majlis me ziyarat aur giryazari ki niyat se jana bhi jaa’iz nahi kyuki waha’n koi ziyarat nahi he jiske vaaste koi Aadmi jaye aur Taaziya lakdiyo ki jo banayi gayi he ye ziyarat ke qaabil nahi balki mitaane ke qaabil he,*
*®_ Fatawa Azizi matbua muztabai, Safa 73_,*
*■_ Taaziye ke Taboot ki ziyarat karna aur us per Fateha padna aur Marsiya padna aur Kitaab sunna aur fariyad karna aur rona, seena peetna, Imaam Husain Raziyallahu Anhu ke maatam me Apne Aapko zakhmi karna ye sab cheeze Shar’an najaa’iz he,*
*®_Fatawa Azizi matbua muztabai, safa 155_,*
*⇨ Hum Musalmano ka farz he k Taaziye ke juloos me Shirkat se parhez kare’n aur apne Ahal v Ayaal ko bhi bachaye, Har Musalman ko is Bid’at v Jahalat se rokna hum sabka farz he,*
*➖ Allah Tamaam Ahle imaan ko Haq ki Samajh Ataa farmaye, ( Ameen ya Rabbul Aalameen, ■)*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ Taaziya aur Alam ▣*
*◈_ Maahe Muharram me Taaziya ma’ Alam ke nikaalna aur uske saath marsiya padna, Juloos ke saath Shareeq hona aur Chadawa chadana aur nazre Husain ki Sabeel lagana, uska peena aur pilana aur usko sawab samajhna, Ye sab af'aal Bid’at aur Najaa’iz hai’n aur Rawafiz ka sha’ar he, inme shirkat bhi najaa’iz he,*
*®_ Fatawa Mehmudiya,, 2/44,*
*▣ Taaziye ke Samne Laathi Chalana aur Khel Tamasha ▣*
*◈_ Muharram ke mahine me Taaziyo ke juloos ke Saamne Laathiya chalana aur doosre khel tamashe Jo khele jate hai’n, Shar’an be asal aur najaa’iz he, Ye Rawafiz ka tareeqa he, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se sabit nahi,*
*®_ Fatawa Mehmudiya,, 2/45,*
*▣_ Taaziye ki Mannat ▣*
*◈ _Taaziye ki mannat Durust nahi, Jin bado ne iski mannat maankar banana shuru kiya wo galti per the aur is fail ki vajah se gunahgar hue aur Aapko iska itteba karna jaa’iz nahi, Taaziye vagera hargiz na banaye, qat’an tark kar dijiye,*
*◈_ Ye aqeeda rakhna k Taaziya nahi banayenge to koi nuqsaan jaani maali pahunchega, ese aqaa’id se imaan saalim nahi rehta,*
*◈_ Taaziye banana aur us per nazar niyaaz chadana, usse mannat maanna haraam v shirk he, Sadqa khairat Jo kuchh karna ho shari’at ke mutabik mahaz khuda ke liye kar diya jaye, Taaziye per chadane aur usse mannat maanne aur gairullah ke naam per khana khilane se wo khana bhi najaa’iz ho jata he, iska sawab nahi hota balki gunah hota he,*
*®_ Fatawa Mehmudiya,, 2/46,*
*▣ Isaale Sawab aur Islam ke khilaf Afaal ▣*
*◈_ Ayyame Muharram me majlise mun'aqad karna, imaamo ke naam ka khichda pakana, Sharbat pilana, apni Aulaad ko imaamo ka faqeer banana ( faqiri pehnana) ye sab af'aal taleem e islaam ke khilaf he aur Allah ta’ala aur uske Sachche Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki naraazgi ka sabab he, in Sabse tauba laazim he,*
*◈ _isaale sawaab ke liye kuchh khana gareeb miskeen ko khilakar, ya naqad dekar, ya Qurane paak padh kar ya koi ibadat karke murdo ko sawaab pahunchana bager kisi tareekh v haiyat ke iltzaam ke shar’an durust he,*
*®_ Fatawa Mehmudiya,, 2/46,*
*▣ Panjatan Paak ka Misdaaq ▣*
*◈_ Huzur Sallallahu Alaihivasallam, Hazrat Ali, Hazrat Fatima, Hazrat Hasan aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhum ko shamil karke Panjatan Paak kehna, Agar Panjatan Paak ka ye matlab he k in sabka maqaam v darja muttahid he to ye galat he,*
*®_ Fatawa Mehmudiya,, 2/47,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣_ Qatilane Husain Raz. Ka ibratnaak Anjaam ▣*
*◈ _Imaam Zahri farmate hai’n k Jo log qatle Husain Raz. me shamil the unme se ek bhi nahi bacha jisko akhirat se pehle duniya me saza na mili ho, koi qatl kiya gaya, kisi ka chehra sakht syaah ho gaya ya masakh ho gaya ya chand roz me hi milk saltnat chhin gayi aur Zaahir he k ye inke A'maal ki asli saza nahi, balki uska ek namoona he Jo Logo'n ko ibrat ke liye duniya me dikha diya gaya,*
*▣_ 1- Qaatile Husain Raz. andha ho gaya ▣*
*◈_ Ibne Jozi Reh. ne Rivayat kiya he k ek budha Aadmi Hazrat Husain Raz. ke qatl me shamil tha wo dafatan naabina ho gaya to logo ne sabab pucha,*
*⇨ Usne kaha mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me dekha k Aasteen chadaye hue hai’n, haath me talwar he,*
*→aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke saamne chamde ka wo farsh he jis per kisi ko qatl kiya jata he aur us per qaatilane Husain Raz. me se 10 Aadmiyo ki laashe zibah ki hui padi hai’n,*
*→uske baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mujhe daa'nta aur khoone Husain Raz. ki ek sala'i meri Aa'nkho me laga di, Subeh jab utha to me andha tha,*
*® As’aaf_,*
*▣ 2- Moo'nh kala ho gaya ▣*
*◈_ Ibne jozi Reh. ne naqal kiya he jis shakhs ne Hazrat Husain Raz. ke sar Mubarak ko apne ghode ki gardan me latkaya tha,*
*•→uske baad use dekha gaya k uska Moo'nh kaala taarkol ki tarah ho gaya he, Logo'n ne puchha k tum saare Arab me khush ru Aadmi the tumhe kya hua?*
*→ Usne kaha k jis roz mene ye sar ghode ki gardan me latkaya jab zara soya to dekha do Aadmi mere baazu pakadte hai’n aur mujhe ek dahakti hui aag per le jate hai’n,*
*→aur isi haalat me chand roz ke baad mar gaya,*
*▣ 3- Aag me jal gaya ◈*
*"▣ _Ibne jozi Reh.ne Sa'adi se naqal kiya he k unhone ek shakhs ki dawat ki, majlis me ye zikr chala k Hazrat Husain Raz. ke qatl me Jo bhi shamil hua usko duniya me bhi jald saza mil gayi,*
*→us shakhs ne kaha bilkul galat he me khud unke qatl me shamil tha mera kuchh bhi nahi bigda,*
*→Ye shakhs majlis se uthkar ghar gaya, jaate hi chiraag ki batti durust karte hue uske kapdo me aag lag gayi, aur wahi jal bhun kar reh gaya,*
*⇨ Sadi kehte hai’n k mene khud usko subeh dekha to koyla ho chuka tha,*
*▣ 4- Teer maarne wala pyaas se Tadap Tadap kar mar gaya ▣*
*"▣ _ Jis shakhs ne Hazrat Husain Raz.ko teer mara aur paani nahi peene diya us per Allah ta’aala ne esi pyaas musallat kar di k kisi tarah pyaas bujhti na thi paani kitna hi piya jaye, pyaas se tadapta rehta tha, Yaha tak k uska pet fat gaya aur Mar gaya,*
*▣ 5-Halakat e Yazeed ▣*
*"▣ _ Shahadate Husain Raziyallahu Anhu ke baad Yazeed ko bhi ek din chen naseeb na hua, tamaam islamic mumalik me khoone shohda ka mutalba aur bagawate shuru ho gayi,*
*⇨ Uski zindgi uske baad 2 saal 8 maah aur ek rivayat ke me 3 saal 8 maah se zyada nahi rahi, Duniya me bhi Allah ta’aala ne usko zaleel kiya aur isi zillat ke saath halaak ho gaya,*
*▣ 6- Kufa per Mukhtar ka Tasallut aur Qaatilane Husain Raz. Ki ibratnaak halakat ▣*
*◈_ Qaatilane Husain Raz. Per tarah tarah ki afaat ka ek silsila to tha hi, Shahadat ke waq’a se 5 saal baad hi 66 hijri me Mukhtar ne qaatilo se qasaas lene ka iraada zahir kiya to aam musalman uske saath ho gaye aur thode hi arse me usko ye quwat hasil ho gayi k kufa aur Iraaq per uska tasallut ho gaya,*
*⇨ Usne elaane aam kar diya qaatilane Husain Raz.ke Siva sabko aman diya jata he aur qaatilo ki tafteesh aur talashi per puri quwat laga di aur ek ek ko giraftaar karke qatl kiya, ek roz me 248 aadmi is jurm me qatl kiye gaye, uske baad khaas logo ki talash aur giraftari shuru ho gayi,*
*◈_ Amru bin Hijaaj pyaas aur garmi me bhaga, pyaas ki vajah se behosh hokar gir pada aur zibah kar diya gaya,*
*◈ _Simar ziljoshan Jo Hazrat Husain Raz.ke bare me sabse zyada shaqi aur sakht tha usko qatl karke laash kutto ke saamne daal di gayi,*
*◈_ Abdullah bin Used, Malik bin Basheer, Hamal bin Maalik ka muhasra karke sabko qatl kar diya, Maalik bin Basheer ke do no haath do no payr kaat kar maidan me daal diya tadap tadap kar mar gaya,*
*◈_ Usman bin Khalid aur Basheer bin Shamit ne Muslim bin Aqeel Raz.ke qatl me iaanat ki thi, inko qatl karke jala diya gaya,*
*◈_ Amr bin Sa’ad Jo Hazrat Husain Raz. Ke muqable per lashkar ki kamaan kar raha tha, usko qatl karke uska sar Mukhtar ke saamne laaya gaya, Mukhtar ne uske bete Hafs ko bhi qatl karke kaha,*
*” _Amr bin Sa’ad ka qatl to Husain Raz.ke badle me he aur Hafs ka qatl Ali bin Husain Raz.ke badle me aur haqeeqat ye he k fir bhi barabari nahi hui, agar me 3 chothai Quresh ko qatl kar du to Hazrat Husain Raz.ki ek ungli ka bhi badla nahi ho sakta,”*
*◈_ Hakeem bin Tufel jisne Hazrat Husain Raz.ko teer maara tha uska badan teero se chhalni kar diya gaya, Zaid bin Rafad ko teer aur patthar barsakar maara gaya fir jala diya gaya, Salaam bin Anas jisne Sar Mubarak kaatne ka aqdaam kiya tha Kufa se bhaag gaya, uska ghar munhadim kar diya gaya,*
*⇨ Qaatilane Husain Raziyallahu Anhu ka ye ibratnaak anjaam maloom karke besakhta ye aayat zuban per aayi,*
*(Tarjuma) –, Azaab esa hi hota he aur akhirat ka azaab isse bada he, kaash we samajh lete,*
*◈_ Abdul Malik bin Umereshi ka bayan he k mene kufa ke Qasre imarat Hazrat Husain Raz. ka sar Mubarak Abdullah bin Ziyaad ke saamne ek dhaal per rakha hua dekha, fir usi Qasr meAbdullah bin Ziyaad ka sar Mukhtar ke saamne dekha fir usi Qasr me Mukhtar ka sar kata hua Moasib bin Zubair ke saamne dekha,*
*®_ Tareekh Khulfa,*
◆══◆══◆══◆══◆══◆
*▣ Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ne Kis maqsad ke liye Jaan Dï ▣*
*◈_ Aap pehle padh chuke hai’n, Hazrat Husain Raz. ne ahle Basra ko Jo khat likha tha, jiske chand jumle ye he, ” Aap log dekh rahe hai’n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat mit rahi he, aur bida’at felai ja rahi he, me tumhe dawat deta hu k kitaabullah aur sunnate Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki hifazat Karo aur uske ahkaam ki tanfeez ke liye koshish Karo,”*
*® Kamil ibne Aseer, 4/9,*
*◈_ Farzooq Sha’ir ke jawab me Jo kalamaat kufa ke raaste me aapne irshad farmaye uske chand jumle ye he,”_Agar taqdeer ilaahi hamari muraad ke muwafiq hoti he to hum Allah ka shukr karenge aur hum shukr Ada karne me bhi uski iaanat talab karte hai’n, k adae shukr ki tofeeq di aur agar taqdeer ilaahi muraad me haa’il ho gayi to us shakhs ka koi kusoor nahi Jiski niyat haq ki himayat ho aur jiske dil me khuda ka khof ho, ”*
*® _Ibne Aseer,*
*◈ _ Maidane jung me khutbe ke ye alfaz"_Jab sahabzade Ali Akbar ne kaha tha, k”_ Abba jaan kya hum haq per nahi he’n? Aapne farmaya,” Qasam he us zaat ki jiski taraf sab bandgane khuda ka ruju he bila shubha hum haq per hai’n,*
*◈_ Ahle bait ke saamne Aapke akhri irshadaat ke Aapke ye jumle padhe,”_ me Allah ta’aala ka shukr Ada karta hu raahat me bhi aur musibat me bhi, Ya Allah me Aapka shukr Ada karta hu k aapne hume sharafate nabuwat se nawaza aur hume kaan, aankh aur dil diye jisse hum aapki ayaat samjhe aur hume aapne quran sikhaya aur deen ki samajh Ataa farmai, hume aap shukr guzaar bando me dakhil farma lijiye, ”*
*◈_ in khutbaat aur kalmaat ko sunne, padne ke baad baad bhi kya kisi musalman ko ye shubha ho sakta he k Hazrat Husain Raz ki ye hairat angez qurbani apni hukumat v iqtdaar ke liye the, Bade zaalim hai’n wo log Jo us muqaddas hasti ki azimusshan qurbani ko unki tasrihaat ke khilaf baaz duniyavi izzat v iqtdaar ki khatir qaraar dete hai’n, Haqeeqat wahi he Jo shuru me likh chuka hu’n k Hazrat Husain Raz.ki saari qurbani sirf isliye thi,*
*★ Kitaab v sunnat ke qanoon ko sahi tor per rivaaj de’n,*
*★ Islam ke nijaam adal ko az sar no qaa’im kare’n,*
*★ Islaam me khilafat nabuwat ke bajae mulukiyat v Aamriyat ki bid’at ka muqabla kare’n,*
*★ Haq ke muqable me na zor v zar ki numaish se maroub ho’n aur na jaan maal aur aulad ka khof us raaste me haa’il ho, har khof, musibat, mashaqqat me har waqt Allah ko yaad rakhe, aur isi per har haal me tawakkul aur etmaad ho aur badi se badi musibat me bhi uske shukr guzaar bande saabit ho’n,*
*◈_ Koi he Jo jigar gosha e Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki is pukaar ko sune aur unke mishan ko unke naqse qadam per anjaam dene ke liye taiyaar ho, unke akhlaq hasna ki pervi ko apni zindgi Ka maqsad banale,*
*⇨Ya Allah hum sabko apni aur apne Rasool Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke Ashaab Raziyallahu Anhum v ahle bait athaar ki muhabbat e kaamila aur itteba e kaamil naseeb farmae,*
*⚀•RєԲ:➻┐Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 240•*
◈
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─
◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
✍
*❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://www.haqqkadaayi.com
*👆🏻 Visit For All Posts _,*
https://chat.whatsapp.com/FKxSPwjh0W2IBafzv6QMxa
*👆🏻What's Mukammal Post ke Liye Link,*
https://chat.whatsapp.com/LmMjlq3Rmoi67AxLFcZxqI
*👆🏻Sirf Roman WhatsApp Group ke Liye Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
Post a Comment