✭﷽✭
. *✿_سیرت النبی ﷺ_✿*
*✭ SEERATUN NABI S.A.✭*
*✿_सीरतुन नबी स. अ. _✿*
*🌹صلى الله على محمدﷺ🌹*
▪•═════••════•▪
*POST-01*
─┉●┉─
*┱✿_ Zamzam Ki Khudayi -_,*
★__ Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ke Bete Hazrat Ismail Alaihissalam Ke 12 Bete they , Unki Nasl is qadar hui k Makka Mukarrama me na sama saki aur Poore Hijaaj me Fayl gayi , Unke Ek Bete Qaydar ki Aulaad me Adnaan Hue ,Adnaan Ke Bete Ma'ad aur Pote Ka Naam Nazaar tha ,Nazaar ke 4 bete they ,Unme se ek Ka Naam Mudhir tha , Mudhir ki nasl se Quresh bin Maalik paida hue , Ye Fahar bin Maalik bhi Kehlaye _,
★__Quresh Ki Aulaad Bahut Hui ,Unki Aulaad mukhtalif Qabilo me Bat gayi ,Unki Aulaad se Qusayi ne iqtdaar haasil Kiya , Qusayi Ke aage 3 Bete hue unme SE ek Abd Munaaf they Jinki Agli nasl me Hashim paida hue ,Hashim ne Madina ke Ek Sardaar ki Ladki SE Shadi ki , Unke Yaha'n ek ladka paida hua Uaka Naam Shaiba rakha gaya , Ye Paida hi hua tha k Hashim Ka inteqal ho gaya ,Unke Bhai Muttalib Makka ke Haakim hue ,Hashim Ka Beta Madina munavvara me parwarish pata raha ,
★_ Jab Muttalib ko Maloom ho gaya k wo Jawan ho gaya hai to Bhatije ko Lene Ke Liye khud Madina gaye , use le Kar Makka Mukarrama pahunche to logo ne khayal Kiya ye Nojawan unka Gulam hai , Muttalib ne logo ko bataya Ye Hashim Ka Beta aur Mera Bhatija hai , iske Bavjood logo ne use Muttalib Ka Gulaam hi kehna shuru kar diya , is Tarah Shiba ko Abdul Muttalib Kaha Jane laga , Unhe Abdul Muttalib ke Yaha'n Abu Taalib ,Hamza , Abbaas, Abdullah,Abu Lahab ,Haaris ,Zaid ,Zaraar ,aur Abdurrahmaan paida hue , Unke Bete Abdullah SE Hamare Nabi Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam Paida Hue _,"
★__ Abdul Muttalib ke Tamaam Beto me Hazrat Abdullah Sabse zyada Khoobsurt aur Sabse zyada Paak Daaman they , Abdul Muttalib ko Khwab me Zamzam Ka khunwa Khodne Ka Hukm diya gaya ,Yani Hazrat Ismail Alaihissalam Ke Kunwe ko , Us Kunwe ko Qabile Jarham Ke Sardaar Mizaaz ne Paat diya tha , Qabile Jarham Ke log us zamane me Makka ke Sardaar they , Baitullah ke nigraa'n they , Unhone Baitullah ki Behurmati shuru Kar di ,
★_ In Ka Sardaar Mizaaz bin Amru tha ,Wo Achchha Aadmi tha ,Usne Apne Qabile ko Samjhaya k Baitullah ki Behurmati na karo magar un per Asar na hua , Jab Mizaaz ne dekha k in per koi Asar na hota to Qaum ko Uske haal per Chhod Kar waha'n SE Jane Ka Faisla kiya , Usne Tamaam Maal v Daulat Talwaare aur Zirhe'n vagera Khana Kaaba SE nikaal Kar Zamzam ke Kunwe me daal di aur mitti se usko paat diya , Kunwa isse Pehle hi Khushk ho chuka tha Ab uska Naamo Nishan mit gaya _,"
★__ Muddato ye Kunwa band pada raha iske baad Banu Khiza'a ne Banu Jarham ko waha'n se maar bhagaya , Banu Khiza'a aur Qusayi ki sardari Ka zamana isi Haalat me guzra , Kunwa band raha Yaha'n tak k Qusayi Ke baad Abdul Muttalib Ka zamana aa gaya , Unhone Khwab dekha , Khwab me unhe Zamzam ke Kunwe ki Jagah dikhayi gayi aur Uske Khodne Ka Hukm diya gaya _,
★__ Hazrat Ali Raziyallahu anhu se rivayat Hai k Abdul Muttalib ne bataya :- Mai'n Hajre Aswad ke muqaam per so raha tha k mere paas ek Aane wala Aaya , Usne mujhse Kaha - Tayba ko khodo _,"
Maine usse puchha- Tayba kya Hai ?
Magar woh Kuchh bataye bager Chala gaya , doosri taraf Raat Bhar Khwab me Wohi Shakhs Aaya , Kehne laga - Barah ko khodo _"
Maine puchha- Barah kya Hai ?
Woh Kuchh bataye bager Chala gaya,
Teesri Raat me Apne Bistar per so raha tha k fir wo Shakhs Khwab me Aaya , Usne Kaha - Maznuna khodo _,"
Maine puchha- Maznuna kya Hai ?
Wo bataye bager Chala gaya.
Usse Agli Raat me fir Bistar per so raha tha k wohi Shakhs fir Aaya aur bola - "_ Zamzam khodo _,"
Maine usse puchha- Zamzam kya Hai ?
Is Baar Usne Kaha - Zamzam wo hai Jiska Pani Kabhi Khatm nahi hota ,Jo Haajiyo'n ke bade bade Majmu'o Ko Sairaab karta hai _,"
_ Abdul Muttalib Kehte Hai'n Maine usse puchha-Ye Kunwa Kis Jagah hai ?
Usne bataya - Jaha'n Gandhi aur Khoon pada hai aur Kawwa thonge maar raha Hai _,"
★__ Doosre Din Abdul Muttalib Apne Bete Haaris Ke Saath waha'n gaye , Us Waqt unke Yaha'n Yahi ek ladka tha , Unhone dekha waha'n gandgi aur Khoon pada tha aur Ek Kawwa thonge maar raha tha, Us Jagah ke Dono taraf but mojood they aur ye gandgi aur Khoon dar asal un Buto per qurban kiye Jane wale Jaanwaro Ka tha , Poori nishani mil gayi to Abdul Muttalib Kudaal le Aaye aur Khudayi ke liye taiyaar ho gaye Lekin us Waqt Quresh waha'n aa pahunche ,
★_ Unhone Kaha - Allah ki qasam hum tumhe Yaha'n Khudayi nahi Karne denge , Tum Hamare in Dono Buto ke darmiyaan Kunwa khodna chahte ho Jaha'n hum unke liye qurbaniya'n Karte Hai'n ,
Abdul Muttalib ne unki Baat sun Kar Apne Bete Haaris se Kaha - Tum in logo ko mere qareeb na aane do , Mai'n Khudayi Ka Kaam karta rahunga isliye k Mujhe Jis kaam Ka Hukm diya gaya hai Mai'n usko Zaroor Poora karunga ,
★_ Quresh ne jab Dekha k wo Baaz aane Wale Nahi to Ruk gaye , Aakhir unhone Khudayi shuru Kar di , Jald hi Kunwe ke Asaar Nazar Aane lage , Ye Dekh Kar Unhone Allahu Akbar Ka naara lagaya aur pukaar uthe - Ye dekho ye Ismail Alaihissalam ki tameer hai ,
★__ Jab Quresh ne ye dekha k unhone Kunwa talash Kar liya to unke paas aa gaye aur Kehne lage - Abdul Muttalib Allah ki qasam ye Hamare Baap Ismail Alaihissalam Ka Kunwa hai aur is per hamara bhi Haq hai ,isliye hum isme Tumhare Shareek honge ,
Ye Sun Kar Abdul Muttalib ne Kaha :- Mai'n tumhe isme Shareek nahi Kar Sakta ye mujh Akele Ka Kaam hai ,
Is per Quresh ne Kaha - tab fir isaamle me hum Tumse jhagda karenge ,
Abdul Muttalib bole - Kisi se Faisla Karwa lo ,
Unhone Banu Sa'ad ibne Huzaim ki Kaahina se Faisla katana manzoor Kiya , Ye Kaahina Mulke Shaam ke Balaayi ilaqe me rehti thi , Akhir Abdul Muttalib ke Saath Abde Munaaf Ke logo ki ek Jama'at thi ,
★_ Jabki digar Qaba'il Quresh ki bhi Ek ek Jama'at Saath thi , Us Zamane me Mulke Hijaaj aur Shaam ke darmiyaan ek Biyabaan maidaan tha , Waha'n Kahi Pani nahi tha , Maidaan me unka pani Khatm ho gaya Sab log Pyaas se behaal ho gaye Yaha'n tak k unhe Apni Maut Ka yaqeen ho gaya , Unhone Quresh ke doosre logo SE Pani maanga Lekin unhone Pani dene se inkaar Kar diya , Ab unhone idhar udhar Paani Talash Karne Ka iraada Kiya _,"
★__ Abdul Muttalib uth Kar Apni Sawaari Ke paas Aaye ,Jo'nhi unki Sawaari uthi Uske Paanv ke niche SE Pani Ka chashma ubal pada , Unhone Pani ko dekh Kar Allahu Akbar Ka naara lagaya , Fir Abdul Muttalib Sawaari SE utar Aaye ,Sabne Khoob Sayr ho Kar Pani piya aur Apne Mashkize bhar liye , Ab unhone Quresh ki doosri Jama'at se Kaha :- Aao tum bhi Sayr ho Kar Pani pi lo _,"
Ab wo bhi aage aaye aur khoob Pani piya , Pani pine me baad wo bole :- Allah ki qasam..... Ey Abdul Muttalib ! Ye to Tumhare Haq me Faisla ho gaya , Ab hum Zamzam ke bare me Tumse Kabhi jhagda nahi karenge , Jis zaat ne tumhe is Biyabaan me Sairaab Kar diya Wohi zaat tumhe Zamzam se bhi Sairaab karega , isliye Yahi se waapas chalo _,"
★__ Is Tarah Quresh ne Jaan liya k Allah Ta'ala Abdul Muttalib per Meharban hai , Lihaza unse jhagadna besood hai aur Kaahina ke paas Jane Ka koi faayda nahi , Chunache Sab log waapas lote ,
Waapas Aa Kar Abdul Muttalib ne fir Kunwe ki Khudayi shuru ki , Abhi thodi si Khudayi ki hogi k Maal , Daulat, Talwaare aur Zirhe'n nikal aayi , Usme Sona aur Chaandi vagera bhi they , Ye Maal v Daulat dekh Kar Quresh Ke logo ko lalach ne aa ghera , Unhone Abdul Muttalib se Kaha - Abdul Muttalib ! Isme hamara bhi hissa hai ,
Unki Baat sun Kar Abdul Muttalib ne Kaha :- Nahi isme tumhara koi hissa nahi ,Tumhe insaaf Ka tareeqa Akhtyar Karna Chahiye , Aao Paa'nso ke teero SE qur'a daale _,"
★_ Unhone esa Karna manzoor Kar liya , Do teer Kaabe ke naam SE rakhe gaye ,Do Abdul Muttalib ke aur Do Quresh Ke baqi logo ke Naam ke ...
Paa'nsa fai'nka gaya to Maal v Daulat Kaaba ke Naam nikla , Talwaare aur Zirhe'n Abdul Muttalib ke Naam aur Qureshiyo ke Naam ke Jo Teer they Wo Kisi cheez per na nikle , is Tarah Faisla ho gaya, Abdul Muttalib ne Kaabe ke Darwaze ko Sone se saja diya ,
Zamzam ki Khudayi se Pehle Abdul Muttalib ne Dua maangi thi k Ey Allah iski Khudayi ko mujh per Asaan Kar de , Mai'n Apna Ek Beta Tere Raaste me zibah karunga , Ab Jabki Kunwa Nikal Aaya to unhe Khwab me Hukm diya gaya - "_ Apni Mannat Poori Karo ,Yani Ek Bete ko zibah Karo _,"
*📕_ Seeratun Nabi ﷺ_,,*
╨─────────────────────❥
*┱✿_ 100 Ounto'n Ki Qurbani-_,*
★_ Abdul Muttalib ko ye Hukm us Waqt diya gaya jab wo Apni Mannat Bhool chuke they , Pehle Khwab me unse Kaha gaya - Mannat Poori Karo , Unhone ek Me'ndha zibah Kar Ke garibo'n ko khila diya , Fir Khwab Aaya - isse Badi pesh Karo , is martaba Unhone ek Bel zibah Kar diya , Khwab me fir Kaha gaya isse bhi Badi pesh Karo , Ab unhone ount zibah Kiya , Fir Khwab Aaya isse bhi Badi cheez pesh Karo , Unhone puchha - isse bhi cheez kya Hai ? Tab Kaha gaya- Apne Beto me se Kisi Ko zibah Karo Jesa k Tumne Mannat maani thi _,"
★_ Ab unhe Apni Mannat Yaad aayi , Apne Beto ko Jama Kiya ,Unse Mannat Ka Zikr Kiya ,Sabke Sar jhuk gaye Kon khud ko zibah karwata , Aakhir Abdullah bole - Abba Jaan Aap mujhe zibah Kar de'n ,
Ye Sabse Chhote they Sabse Khoobsurt bhi they ,Sabse zyada Muhabbat bhi Abdul Muttalib ko inhi se thi Lihaza Unhone Qur'a andazi Karne Ka iraada Kiya , Tamaam Beto me Naam ek likh Kar Qur'a daala gaya , Abdullah Ka Naam nikla , Ab unhone chhuri li Abdullah ko baazu se pakda aur unhe zibah Karne Ke liye niche litaya , Junhi Baap ne Bete ko litaya , Abbaas SE Zabt na ho saka foran aage bade aur Bhai ko Kheench liya - Us Waqt ye Khud bhi Chhote SE they , idhar Baap ne Abdullah ko kheencha , is Kheencha taani me Abdullah ke chehre per kharashe bhi Aaye , in kharasho ke nishanaat marte dam tak baqi rahe ,
★__ Is Dauraan Banu Makhzoom ke log ikatthe ho gaye unhone Kaha - Aap is Tarah Bete ko zibah na Kare'n ,iski Maa'n ki Zindgi kharaab ho jayegi ,Apne Rab ko Raazi Karne Ke liye Bete Ka Fidiya de de'n ,
★__ Ab Sawal ye tha k Fidiya kya diya Jaye , iski tarkeeb ye batayi gayi k Ek Kaagaz per Das ount likhe Jaye doosre per Abdullah Ka Naam Likha Jaye agar Das ount wali parchi nikle to das ount qurban Kar diye Jaye , Agar Abdullah wali parchi nikle to das ount Ka izaafa Kar diya Jaye , Fir Bees ount wali parchi aur Abdullah wali parchi daali Jaye , Ab agar Bees ount wali parchi nikle to Bees ount qurban Kar diye Jaye Varna das ount aur bada diye Jaye,is Tarah das das Kar Ke ount badate Jaye ,
★__ Abdul Muttalib ne esa hi Kiya ,Das das ount badate chale gaye har Baar Abdullah Ka Naam nikalta Chala gaya Yaha'n tak k Ounto'n ki tadaad 100 tak pahunch gayi ,Tab Kahi ja Kar Ounto'n wali parchi nikli , is Tarah unki Jaan ke badle 100 ount qurban kiye gaye , Abdul Muttalib ko ab Poora itminan ho gaya k Allah Ta'ala ne Abdullah ke badle 100 Ounto'n ki qurbani manzoor Kar li hai , Unhone Kaaba ke paas 100 ount qurban kiye aur Kisi Ko khane se na roka Sab insaano ,Jaanwaro aur Parindo ne unko khaya ,
★_ Imaam Zahri Kehte Hai'n k Abdul Muttalib Pehle Aadmi Hai jinhone Aadmi ki Jaan ki qeemat 100 ount dene Ka tareeqa shuru Kiya ,isse Pehle das ount diye Jaye they , iske baad ye tareeqa saare Arab me jaari ho gaya,Goya qanoon ban gaya k Aadmi ka Fidiya 100 ount Hai'n ,
★_ Nabi Kareem ﷺ_ Ke Saamne jab ye zikr Aaya to Aapne is Fidiye ki tasdeeq farmayi Yani farmaya k ye durust hai ,aur is buniyad per Nabi Kareem ﷺ_ farmate hai'n- Mai'n Do Zabiho'n Yani Hazrat Ismail Alaihissalam aur Hazrat Abdullah ki Aulaad Hu'n _,"
★__ Hazrat Abdullah Quresh me Sabse zyada Haseen they , Unka Chehra Roshan sitaare ki manind tha , Quresh ki Bahut si ladkiya'n inse Shadi Karna chahti thi Magar Hazrat Abdullah ki Hazrat Aamna SE Shadi hui , Hazrat Aamna Wahab bin Abde Munaaf bin Zohra ki beti thi ,Shadi ke Waqt Hazrat Abdullah ki Umar Atharah (18) saal thi ,
★_ Ye Shadi ke liye Apne Walid ke Saath ja rahe they Raaste me Ek Aurat Kaaba ke paas bethi Nazar aayi , Ye Aurat Warqa bin Nofal Ki Behan thi , Warqa bin Nofal Quresh Ke ek bade Aalim they , Warqa bin Nofal SE unki Behan ne sun rakha tha k Waqt ke Aakhri Nabi Ka Zahoor hone wala Hai aur unki Nishaniyo'n me se Ek Nishani ye hogi k Unke Walid Ke chehre per Nabuwat Ka Noor chamakta Hoga , Jo'nhi Usne Abdullah ko dekha foran Uske zahan me ye Baat aayi , Usne socha ho na ho ye Woh Shakhs hai Jo Paida hone wale Nabi ke Baap honge , Chunache Usne Kaha - Agar tum mujhse Shadi Kar lo to Mai'n badle me tumhe utne hi ount dungi jitne Tumhari Jaan ke badle me zibah kiye gaye they ,
Is per inhone Jawab diya :- Mai'n Apne Baap ke Saath Hu'n ,Unki Marzi ke khilaf Kuchh nahi Kar Sakta, na unse alag ho Sakta Hu'n aur mere Walid Ba-izzat Aadmi Hai'n ,Apni Qaum ke Sardaar Hai'n,
★_ Bahar haal inki Shaadi Hazrat Aamna SE ho gayi , Aap Quresh ki Aurto'n me Nasab aur Muqaam ke aitbaar se Afzal thi ,
★__ Hazrat Aamna ,Hazrat Abdullah ke Ghar aa gayi , Aap farmati Hai'n:- Jab Mai'n Maa'n banne wali hui to mere paas ek Shakhs Aaya ,Yani Ek farishta insaani shakl me Aaya , Us Waqt Mai'n jaagne aur sone ke darmiyani Haalat me thi , Usne mujhse Kaha :- Kya tumhe Maloom hai ? Tum is Ummat ke Sardaar aur Nabi ki Maa'n banne wali ho _,"
Iske baad wo fir us Waqt Aaya Jab Nabi ﷺ_ paida hone wale they , is martaba Usne Kaha :- Jab Tumhare Yaha'n Paida'ish ho to kehna - Mai'n is Bachche ke liye Allah ki panaah chahti Hu'n Har Hasad Karne Wale ke Shar aur Burayi se , Fir tum is Bachche Ka Naam Muhammad rakhna Kyunki inka Naam Tauraat me Ahmad hai aur Zameen v Asmaan wale inki Tareef Karte Hai'n, Jabki Qur'an me inka Naam Muhammad hai aur Qur'an inki Kitaab hai _," *( Al Bidaya v Al Nihaya )*
★__ Ek rivayat ke mutabiq Farishte ne inse ye Kaha:- Tum Waqt ke Sardaar ki Maa'n banne wali ho , is Bachche ki Nishani ye hogi k iske Saath ek Noor Zaahir hoga ,Jisse Mulke Shaam aur Basra ke Mahallaat bhar Jayenge ,Jab wo Bachcha paida ho Jayega to uska Naam Muhammad rakhna Kyunki Tauraat me unka naam Ahmad hai k Asmaan aur Zameen wale unki tareef Karte Hai'n aur injeel me unka naam Ahmad hai k Asmaan aur Zameen wale unki tareef Karte Hai'n aur Qur'an me unia Naam Muhammad hai _," *( Al Bidaya v Al Nihaya)*
★_ Hazrat Abdullah ke chehre me Jo Noor chamakta tha ,Shaadi ke baad wo Hazrat Aamna ke chehre me as gaya tha , Imaan Zahri farmate hai'n, Hakim ne ye rivayat Bayan ki hai aur isko Sahih qaraar diya hai k Sahaba Raziyllahu anhum ne Huzoor Nabi Kareem ﷺ SE arz Kiya:- Ey Allah ke Rasool ! Hume Apne bare me Kuchh bataye'n _,
Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Mai'n Apne Baap Ibrahim Alaihissalam ki Dua Hu'n, Apne Bhai Iysa Alaihissalam ki basharat Hu'n aur Khush Khabri Hu'n , Jab Mai'n Apni Walida ke Shikam me Aaya to Unhone dekha goya unse Ek Noor Zaahir huwa hai Jisse Mulke Shaam me Basra ke Mahallaat Roshan ho gaye _,"
★_ Hazrat Aamna ne Hazrat Halima S'adiya se farmaya tha :- Mere is Bachche ki Shaan niraali hai ,Ye mere pet me they to mujhe koi bojh aur thakan mehsoos nahi hui _,"
★__Hazrat Iysa Alaihissalam wo Aakhri Paigambar Hai'n Jinhone Aap ﷺ ko aamad ki Khush Khabri sunayi hai , is Basharat Ka Zikr Qur'an me bhi Hai , Surah Saf me Allah Ta'ala farmate hai'n :-
"__ Aur isi Tarah wo Waqt bhi Qabile zikr hai Jabki Iysa ibne Mariyam Alaihissalam ne farmaya k - Ey Bani Israiyl ! Mai'n Tumhare Paas Allah Ka bheja huwa Aaya Hu'n k mujhse Pehle Jo Toraat aa chuki hai , Mai'n uski tasdeeq karne wala Hu'n aur mere baad Jo ek Rasool aane wala Hai unka Naam Mubarak "Ahmad " Hoga , Mai'n unki Basharat dene wala Hu'n _,"
★_ Ab chunki Hazrat Iysa Alaihissalam ye Basharat suna chuke they isliye har Daur ke log Aap ﷺ ki aamad Ka intezar Kar rahe they, idhar Aapki Paida'ish se Pehle hi Hazrat Abdullah inteqal Kar gaye ,Sabqa Kutub me Aapki Nabuwat ki ek Alamat ye bhi batayi gayi hai k Aapke Waalid Ka inteqal Aapki wiladat se Pehle ho Jayega , Hazrat Abdullah ek Tijarati Qafile ke Saath Tijarat ke liye gaye they, is Dauraan bimar ho gaye aur Kamzor ho Kar Waaps laute , Qafila Madina munavvara se guzra to Hazrat Abdullah Apni Nanihaal Yani Banu Najaar ke Yaha'n thehre , Unki Walida Banu Najaar se thi , Ek Maah tak bimaar rahe aur inteqal Kar gaye, inhe Yahi dafan Kar diya gaya ,
★_ Tijarati Qafila jab Hazrat Abdullah ke bager Makka Mukarrama pahuncha aur Abdul Muttalib ko pata Chala k Unke Bete Abdullah bimaar ho gaye Hai'n aur Madina munavvara me Apni Nanihaal me Hai'n to Unhe lane ke liye Abdul Muttalib ne Apne Bete Zuber ko bheja , Jab ye waha'n pahunche to Abdullah Ka inteqal ho chuka tha, Matlab ye k Aap ﷺ is Duniya me Apne Waalid ki wafaat ke Chand maah baad Tashreef laye ,
*📕_ Seeratun Nabi ﷺ_,,*
╨─────────────────────❥
*┱✿_ Maahe Nabuwat Tulu Huwa-_,*
★__ Hazrat ibne Abbas Raziyllahu anhu Kehte Hai'n k Huzoor Nabi Kareem ﷺ is Duniya me Tashreef laye to Aapki Aanol Naal Kati hui thi ( Aanol Naal ko Bachche Paida hone ke baad Daaya Kaat ti hai )
Aap Khatna Shuda hue , Abdul Muttalib ye dekh Kar behad Hairaan hue aur Khush bhi , Wo Kaha Karte they - Mera Beta nirali Shaan Ka hoga _,"
*( Al Hidaya )*
★__ Aapki Paida'ish se Pehle Makka Ke log Khushk Saali aur Qahat Ka shikaar they ,Lekin Jo'nhi Aapke Duniya me Tashreef lane Ka waat qareeb Aaya , Barishe Shuru ho gayi, Khushk Saali doori ho gayi, Darakht hare Bhar ho gaye aur Phalo se lad gaye , Zameen per Sabza hi Sabza Nazar Aane laga ,
Paida'ish ke waat Aap Apne haatho per jhuke hue they, Sar Asmaan ki taraf tha , Ek rivayat ke Alfaz ye Hai'n k Ghutno ke bal Jhuke hue they, Matlab ye k Sajde ki si Haalat me they ,
*( Tabqaat )*
★__ Aapki Mutthi band thi aur Shahadat ki ungli uthi hui thi Jesa k hum Namaz me uthate Hai'n , Huzoor Anwar ﷺ_ farmate hai'n :- Jab Meri Walida ne mujhe janam diya to unse ek Noor nikla ,Us Noor SE Shaam ke Mahallaat jagmaga uthe _," *( Tabqaat)*
★_ Aap ﷺ ki Walida Sayyada Aamna Farmati Hai'n :- Muhammad (ﷺ_ ) Ki Paida'ish ke waqt Zaahir hone wale Noor ki Roshni me mujhe Basra me Chalne wale Ounto'n ki gardane tak Nazar aayi _,
★_ Allama Sahli Rehmatullah ne Likha hai k jab Aap paida hue to Aapne Allah ki tareef ki , Ek rivayat me ye Alfaz Aaye Hai'n :-
"__ Allahu Akbar Kabeera Walhamdu Lillaahi Kaseera Wa Sub'hanallahi Bukrata'nv Wa Aseela _,"
( Allah Ta'ala Sabse bada hai, Allah Ta'ala ki behad tareef hai aur Mai'n Subeh v Shaam Allah ki paaki Bayan karta Hu'n )
*┱✿_ Maahe Nabuwat Tulu Huwa-3_,*
★__ Aapki wiladat kis din hui ? Is Baat per sabka ittefaq hai k wo peer Ka Din tha , Aap subeh Fajar tulu hone ke Waqt Duniya me Tashreef laye ,
★_ Tareekh Paida'ish ke Silsile me Bahut SE qaul Hai'n, Ek rivayat ke mutabiq 12 Rabiul Avval ko Paida hue , Ek rivayat ke mutabiq 8 Rabiul Avval ki hai ,Ek rivayat 2 Rabiul Avval ko Paida hue, is Silsile me aur bhi Bahut si Rivayaat Hai'n ,Zyadatar morkheen Ka khayal hai k Aap 8 Rabiul Avval ko Paida hue, Taqweem ( calendar ya Jantri ) ke Tareeqe ke hisaab se jab Tareekh nikali gayi to 9 Rabiul Avval nikli , Matlab ye Hai k is bare me bilkul Sahi Baat Kisi Ko Maloom nahi , is per sabka ittefaq hai k Mahina Rabiul Avval Ka tha aur Din Peer Ka ,
Ye bhi Kaha jata hai k Aapko Peer ke Din hi nabuwat Mili , Peer ke Roz hi Aapne Madina munavvara ki taraf Hijrat farmayi aur Peer ke Roz hi Aapki wafaat hui ,
★__ Aap Aamul Feel me Paida hue Yani Haathiyo'n wale Saal me ,Is Saal ko Haathiyo'n wala Saal isliye Kaha jata hai k Abraha ne Haathiyo'n ke Saath Makka Mukarrama per chadayi ki thi , Aapki Paida'ish is Waqi'e ke Kuchh hi Din baad hui thi ,
★__ Waqia Kuchh is Tarah hai k Abraha Yaman Ka Iysai Haakim tha , Hajj Ke Dino me Usne Dekha k log Baitullah Ka Hajj Karne jate Hai'n, Usne Apne logo se puchha - ye Log Kaha'n jate Hai'n, Use Jawab mila - Baitullah Ka Hajj Karne Ke liye jate Hai'n ,
Usne puchha- Baitullah kis cheez Ka Bana hua hai , Use bataya gaya - Pattharo Ka Bana hai ,Usne puchha- - uska Libaas kya hai , Bataya gaya- Hamare Yaha se Jo Dhaaridaar Kapda jata hai usse uski Poshaak Taiyaar Hoti Hai,
★__ Abraha Iysai tha ,Saari Baat sun Kar Usne Kaha - Maseeh Ki Qasam ! Mai'n tum logo ke liye isse Achchha Ghar tameer karunga ,
is Tarah Usne Surkh Safed zard aur Syaah Pattharo SE ek Ghar banwaya , Sone aur Chaandi SE usko sajaya ,Usme Ka'i Darwaze rakhwaye ,Usme Sone ke Patre jadwaye , Uske darmiyaan me Jawahar lagwaye , Us Makaan me Ek bada sa yaqoot lagwaya ,Parde lagwaye , Waha'n Khushbue'n sulgane Ka intezam Kiya ,Uski diwaaro per is qadar mushk mala jata tha k wo Syaah Rang ki ho gayi, Yaha'n tak k Jawahar bhi Nazar Nahi aate they ,
★_ Fir Logo SE Kaha - Ab tumhe Baitullah Ka Hajj Karne Ke liye Makka Jane ki zarurat nahi rahi , Maine yahi Tumhare liye Baitullah banwa diya hai , Lihaza ab tum iska tawaaf Karo _,"
Is Tarah Kuchh Qaba'il Ka'i saal tak uska Hajj Karte rahe ,usme Aitkaaf Karte rahe ,Hajj wale Manasik bhi Yahi ada Karte rahe ,
★_ Arab ke Ek Shakhs Nufail Khashmi SE ye Baat Bardasht na ho saki ,Wo is masnu'i Khana Kaaba ke khilaf Dil hi Dil me Kudta raha ,Aakhir Usne Dil me thaan li k wo Abraha ki is imaarat ko Ganda Kar Ke chhodega ,Fir Ek Raat Usne chori chhipe Bahut si gandgi usme daal di , Abraha Ko Maloom hua to sakht gazab naak hua Kehne laga- Ye karwaa'i Kisi Arab ne Apne Kaaba ke liye ki hai , Mai'n use dhaa dunga uska Ek ek patthar Tod dunga _,"
★__ Usne Shaam v Habsha Ko ye Tafsilaat likh di , Usse darkhwast ki k wo Apna Haathi bhej de , Us Haathi Ka Naam Mehmood tha ,Ye is qadar Bada tha k itna Bada Haathi roo'e Zameen per Dekhne me Nahi Aaya tha ,Jab Haathi Uske Paas pahunch gaya to wo Apni fauj le Kar nikla aur Makka Ka rukh Kiya , Ye Lashkar jab Makka ke Qurbo jawaar me pahuncha to Abraha ne Fauj ko Hukm diya k in logo ke Jaanwar Loot liye Jaye , Uske Hukm per Faujiyo ne Jaanwar Pakad liye ,inme Abdul Muttalib ke ount bhi they ,
★__ Nufail bhi is Lashkar me Abraha ke saath mojood tha aur ye Abdul Muttalib Ka dost tha , Abdul Muttalib usse mile , Ounto'n ke Silsile me Baat ki ,
Nufail ne Abraha SE Kaha :- Quresh Ka Sardaar Abdul Muttalib milna Chahta hai Ye Shakhs Tamaam Arab Ka Sardaar hai , Sharf aur buzurgi ise haasil hai ,Logo me iska Bahut Bada Asar hai ,Logo ko achchhe achchhe ghode Deta Hai ,Unhe Atyaat Deta Hai ,Khana khilata hai ,_,"
★__ Ye Goya Abdul Muttalib Ka tarruf tha , Abraha ne inhe mulaqaat ke liye bulaya ,Abraha ne inse puchha - Bataiye Aap kya chahte Hai'n ?
Inhone Jawab diya- Mai'n Chahta Hu'n mere ount mujhe waapas mil Jaye ,
Inki Baat sun Kar Abraha Bahut Hairaan hua ,Usne Kaha - Mujhe to bataya gaya tha k Aap Arab ke Sardaar Hai'n, Bahut izzat aur buzurgi ke Maalik Hai'n Lekin Lagta hai mujhse galat bayani ki gayi hai , Kyunki Mera khayal tha Aap mujhse Baitullah ke bare me Baat karenge Jisko Mai'n girane Aaya Hu'n aur Jiske Saath Aap sabki izzat wabasta hai ,Lekin Aapne to sire se usko Baat hi Nahi ki aur Apne Ounto'n Ka Rona le Kar beth Gaye ,Ye kya Baat hui _,"
★__ Uski Baat sun Kar Abdul Muttalib bole - Aap mere ount mujhe waapas de de'n Baitullah ke Saath Jo Chahe Kare'n isliye k us Ghar Ka Ek Parwardigaar hai ,Wo khud hi uski Hifazat karega , Mujhe uske liye fikrmand hone ki zarurat nahi _,"
Unki Baat sun Kar Abraha ne Hukm diya- inke ount waapas de diye Jaye'n ," Jab inhe inke ount waapas mil gaye to inhone unke Samo per Chamde chada diye ,Un per Nishan laga diye , Unhe qurbani ke liye waqf Kar Ke Haram me Chhod diya Taki fir koi unhe Pakad le to Haram Ka Parwardigaar us per gazab naak ho _,
★__ Fir Abdul Muttalib Hira Pahaad per Chad gaye , Unke Saath unke Kuchh doste they , Unhone Allah se darkhwast ki :- Ey Allah ! insaan Apne Samaan Ki Hifazat karta Hai tu Apne Samaan Ki Hifazat Kar _,"
★__ Udhar SE Abraha Apna Lashkar le Kar aage bada ,Wo khud Haathi per sawaar Lashkar ke darmiyaan mojood tha , Ese me Uske Haathi ne aage badne se inkaar Kar diya , Wo Zameen per beth gaya , Haathi Baano ne use Uthane ki Koshish ki ,Lekin Wo na uthe , Unhone Uske Sar per zire lagaye ,Aanks chubhoye magar wo khada na hua , Kuchh Soch Kar Unhone uska Rukh Yaman ki taraf Kiya to Wo foran us taraf Chalne laga ,
★_ Uska Rukh fir Makka ki taraf Kiya gaya to fir Ruk gaya ,Haathi Baano ne ye tajurba Baar Baar Kiya , Aakhir Abraha ne Hukm diya- Haathi ko Sharaab pilayi jaye Taki Nashe me use Kuchh Hosh na reh Jaye aur Hum use Makka ki taraf aage bada sake _,"
★_ Chuunache use Sharaab pilayi gayi Lekin us per iska bhi Asar na hua ,
*📕_ Seeratun Nabi ﷺ_,,*
╨─────────────────────❥
*┱✿_ Abraha Ka Anjaam-_,*
★__ Abraha ke Haathi ko Uthane ki musalsal Koshish jari thi k Achanak Samundar ki taraf SE unki taraf Allah Ta'ala ne Ababeel ko bhej diya , Wo Tiddiyo'n ke jhund ki Tarah Aayi ,
★__ Doosri taraf Abdul Muttalib Makka me Dakhil hue ,Haram me pahunche aur Kaaba ke Darwaze ki zanjeer pakad Kar Abraha aur Uske Lashkar ke khilaf fateh ki Dua maangi , Unki Dua ke Alfaz ye they :-
"_ Ey Allah ! Ye Banda Apne Qafile aur Apni Jama'at ki Hifazat Kar raha Hai Tu Apne Ghar ( Yani Baitullah ) ki Hifazat farma ,Abraha Ka Lashkar fateh na haasil Kar sake ,Unki Taaqat Teri Taaqat ke aage Kuchh bhi nahi ,Aaj Saleeb Kamyaab na ho _,"
★__ Saleeb Ka lafz isliye Bola k Abraha Iysai tha aur Saleeb ko Iysai Apne Nishan ke tor per Saath le Kar chalte Hai'n ,
Ab Unhone Apni Qaum ko Saath liya aur Hira Pahaad per Chad gaye Kyunki Unka khayal tha K Wo Abraha Ka muqabla nahi Kar sakenge ,
★__ Aur Fir Allah Ta'ala ne Parindo ke jhund ke jhund bhej diye ,Ye Parinde Chidiya se qadre bade they ,Unme SE har Parinde Ki chonch me Patthar ke teen teen Tukde they ,Ye Patthar Parindo ne Abraha ke Lashkar per girane shuru kiye ,Junhi ye Patthar un per gire Unke Tukde Tukde ho gaye ,Bilkul is Tarah Jese Aaj Kisi Jagah Ouper SE Bam giraya Jaye to Jismo ke Tukde ud jate Hai'n ,Abraha Ka Haathi Mehmood Albatta un Kankriyo'n se mehfooz raha ,Baqi sab Haathi tehas nehas ho gaye ,Ye Haathi 13 Adad they Sab ke Sab Khaye hue nahusat ke manind ho gaye Jesa K Surh Feel me aata hai _,
★__ Abraha aur Uske Kuchh Saathi tabaahi Ka ye manzar Dekh Kar buri Tarah bhaage Lekin Parindo ne usko bhi na chhoda ,Abraha ke bare me Tabqaat me Likha hai k Uske Jism Ka Ek Ek Uzv alag ho Kar girta Chala gaya Yani wo bhaag raha tha aur Uske jism Ka Ek Ek hissa alag ho Kar gir raha tha ,
★_ Doosri taraf Abdul Muttalib is intezaar me they k Kab Hamla hota hai,Lekin Hamla Aawar Jab Makka me dakhil na hue to Wo Halaat Maloom Karne Ke liye niche utre ,Makka SE bahar nikle Tab Unhone dekha Saara Lashkar tabaah ho chuka hai , Khoob Maale Ganimat unke Haath laga ,Beshumar Samaan Haath Aaya ,Maal me Sona Chandi bhi be tahasha tha ,
★__ Lashkar me SE Kuchh log ese bhi they Jo waapas Nahi bhaage they ,Ye Makka me reh gaye they Unme Abraha ke Haathi Ka Mahawat bhi tha Jo Mehmood ko aage lane me nakaam raha tha ,
★__ Hamare Nabi Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi wasallam is Waqi'e ke Chand din Baad Paida hue ,Aap Jis Makaan me Paida hue Wo Safa Pahaad ke qareeb tha , Hazrat Ka'ab Ahbaar Raziyllahu anhu rivayat Karte Hai'n k Maine Tauraat me padha tha k Rasulullah Sallallahu Alaihi wasallam Ki Paida'ish Makka me hogi , Ye Ka'ab Pehle Yahoodi they isliye Tauraat padha Karte they,
★__ Duniya me aate hi Huzoor Akram ﷺ roye ,Hazrat Abdurrahmaan bin Auf Raziyllahu anhu ki Walida kehti Hai'n k Jab Hazrat Aamna ke Yaha'n wiladat hui to Mai'n waha'n mojood thi ,Aap ﷺ mere haatho me Aaye , Ye galiban Daaya thi ,Unka Naam Shifa tha ,Farmati Hai'n :- Jab Aap mere haatho me Aaye to roye ,
★_ Aapke Daada Abdul Muttalib ko Aapki wiladat ki ittela di gayi ,Wo us Waqt Khana Kaaba Ka tawaaf Kar rahe they, ittela Milne per Ghar Aaye , Bachche ko god me liya ,Us Waqt Aapki Walida ne Unse Kaha :- Ye Bachcha Ajeeb hai ,Sajde ki Haalat me Paida huwa hai ,Yani Paida Hote hi isne Pehle Sajda Kiya ,fir Sajde SE sar utha Kar ungli Asmaan ki taraf uthayi _,"
★__ Abdul Muttalib ne Aapko dekha ,Uske baad Aapko Kaaba me le Aaye ,Aapko god me liye rahe AUR tawaaf Karte rahe ,Fir waapas la Kar Hazrat Aamna ko diya ,Aapko Arab ke dastoor ke mutabiq ek bartan SE dhaanpa gaya Lekin Wo bartan toot Kar Aapke Ouper se hat gaya ,Us Waqt Aap Apna Angootha chooste Nazar Aaye _,"
★__ Is moqe per Shaitaan buri Tarah cheekha ,Tafaeer me hai k Shaitaan Sirf Chaar martaba cheekha ,Pehli Baar us Waqt jab Allah Ta'ala ne use mal'oun thehraya ,Doosri Baar us Waqt jab use Zameen per utaara gaya ,Teesri Baar us Waqt cheekha jab Aan Hazrat ﷺ ki Paida'ish hui aur Chothi martaba us Waqt jab Nabi Kareem ﷺ per Surah Fatiha Naazil hui ,
★__ Is moqe per Hazrat Hassaan Bin Saabit Raziyllahu anhu Kehte Hai'n :- Mai'n 8 Saal Ka tha ,Jo Kuchh dekhta aur Sunta tha usko samajhta tha ,Ek subeh Maine Yasrib Yani Madina munavvara me Ek Yahoodi ko dekha Wo Ek ounche teele per Chad Kar chilla raha tha, Log us Yahoodi ke gird Jama ho gaye aur bole - Kya Baat hai , Kyu'n cheekh rahe ho ?
Yahoodi ne Jawab diya - Ahmad Ka sitaara Tulu ho gaya hai aur Wo Aaj Raat Paida ho gaye Hai'n _,"
★__ Hazrat Hassaan Bin Saabit Raziyllahu anhu baad me 60 saal ki Umar me musalman hue they, 120 Saal ki Umar me Unhone wafaat payi goya imaan ki haalat me 60 saal zinda rahe , Bahut achchhe Shayar they , Nabi Kareem ﷺ ki Apne Ash'aar me tareef Kiya Karte they aur dushmano ki Burayi Ash'aar me Bayan karte they, Gazwaat ke moqe per Ash'aar ke zariye Musalmano ko Josh dilate they ,isi buniyad per unhe Sha'ire Rasool Ka khitaab mila tha ,
★__ Hazrat Ka'ab Ahbaar Raziyllahu anhu farmate Hai'n k Maine Tauraat me padha hai k Allah Ta'ala ne Hazrat Moosa Alaihissalam ko Aan Hazrat ﷺ ki wiladat ke Waqt ki khabar de di thi aur Hazrat Moosa Alaihissalam ne Apni Qaum Bani Israiyl ko iski ittela de di thi ,is Silsile me Unhone farmaya tha :-
Tumhare Nazdeek Jo mash'hoor chamakdaar sitara hai Jab wo Harkat me aayega Wohi Waqt Rasulullah ﷺ ki Paida'ish Ka hoga _,"
Ye khabar Bani Israiyl ke Ulma ek doosre ko dete chale Aaye they aur is Tarah Bani Israiyl ko bhi Aan Hazrat ﷺ ki wiladat Ka Waqt Yani uski Alamat Maloom thi _,"
★__ Hazrat Ayesha Raziyllahu anha se rivayat Hai k Ek Yahoodi Aalim Makka me rehta tha , Jab wo Raat aayi Jisme Aan Hazrat ﷺ Paida hue to Wo Quresh Ki ek Majlis me betha tha ,Usne Kaha :- Kya Tumhare Yaha'n Aaj koi Bachcha paida hua hai ?
Logo ne Kaha - Hume to Maloom nahi ,
Is per us Yahoodi ne Kaha :- Mai'n Jo Kuchh Kehta Hu'n Use Achchhi Tarah sun lo ,Aaj is Ummat Ka Aakhri Nabi paida ho gaya hai aur Quresh Ke logo ! Wo tumme se hai ,Yani wo qureshi hai ,Uske Kandhe ke paas Ek Alamat hai ( Yani Mohre Nabuwat ) usme Bahut zyada Baal Hai'n Yani ghane Baal Hai'n aur ye Nabuwat Ka nishaan hai Nabuwat ki daleel hai , Is Bachche ki ek Alamat ye Hai k Wo Do Raat tak Doodh nahi piyega , in baato Ka Zikr iski Nabuwat ki Alamat ke tor per Purani Kutub me mojood hai ,
Allama Ibne Hajar ne Likha hai k ye Baat durust hai, Aapne Do din tak Doodh nahi piya tha ,
★__ Yahoodi Aalim ne Jab ye baate batayi to log waha'n se uth gaye ,Unhe Yahoodi ki baate sun Kar Bahut hairat hui thi , Jab Wo log Apne gharo me pahunche to unme SE har Ek ne uski baate Apne Ghar ke Afraad ko batayi , Aurto'n ko chunki Hazrat Aamna ke Yaha'n Beta Paida hone ki khabar ho chuki thi isliye Unhone Apne Mardo'n ko bataya ,
Zara chal Kar mujhe wo Bachcha dikhao ,log use Saath liye Hazrat Aamna ke Ghar ke Bahar Aaye , Unse Bachcha dikhane ki darkhwast ki , Aapne Bachche ko Kapde se nikaal Kar Unhe de diya ,Logo ne Aapke Kandhe per se Kapda hataya , Yahoodi ki Nazar Junhi Mohre Nabuwat per padi wo foran behosh ho Kar gir pada , Use Hosh Aaya to logo ne usse puchha- tumhe kya ho gaya tha ?
Jawab me Usne Kaha :- Mai'n is gam se behosh hua tha k Meri Qaum me se Nabuwat Khatm ho gayi aur Ey Quresh ! Allah ki qasam ! Ye Bachcha tum per Zabardast galba Haasil karega aur iski Shohrat mashriq se magrib tak fail jayegi _,"
*📕_ Seeratun Nabi ﷺ_,,*
╨─────────────────────❥
*┱✿_ Muhammad ﷺ Ka Sitaara Chamka_-_,*
★__ Mulk Shaam Ka Ek Yahoodi Uyesh Makka SE Kuchh faasle per rehta tha, Wo jab bhi Kisi Kaam se Makka aata , Waha'n logo se milta to unse Kehta :- Bahut qareeb ke zamane me Tumhare darmiyaan ek Bachcha paida hoga ,Saara Arab Uske Raaste per chalega , Uske Saamne Zaleel aur Past ho Jayega ,Wo Ajam aur Uske Shehro Ka bhi Maalik ho Jayega ,Yahi uska zamana hai ,Jo uski Nabuwat ke zamane ko payega aur uski Pervi karega Wo Apne maqsad me Kamyaab Hoga ,Jis Khayr aur Bhalai Ki Wo Ummeed karta Hai Wo usko Haasil hogi aur Jo Shakhs uski Nabuwat Ka zamana payega Magar uski mukhalfat karega Wo Apne maqsad aur Aarzuo'n me nakaam Hoga _,"
★__ Makka Muazzama me Jo bhi Bachcha paida hota Wo Yahoodi us Bachche ke bare me Tehqeeq karta aur Kehta ,Abhi Wo Bachcha paida nahi hua , Aakhir jab Nabi Kareem ﷺ is Duniya me Tashreef laye to Abdul Muttalib Apne Ghar SE Nikal Kar is Yahoodi ke paas pahunche, Uski ibaadatgaah ke Darwaze per pahunch Kar Unhe Awaaz di , Uyesh ne Puchha - Kon hai ?
Unhone Apna Naam bataya ,Fir usse puchha-Tum is Bachche ke bare me kya Kehte ho ?
Usne inhe Dekha fir Bola - Haa'n ! Tumhi Uske Baap ho sakte ho , Beshak Wo Bachcha paida ho gaya hai Jiske bare me Mai'n tum logo se Kaha karta tha ,Wo Sitaara aaj Tulu ho gaya hai Jo us Bachche ki Paida'ish ki Alamat hai ....aur uski Alamat ye Hai k is Waqt us Bachche ko dard ho Raha Hai,Ye Takleef use Teen Din rahegi aur Uske baad ye Theek ho Jayega _,"
★__ Raahib ne Jo ye Kaha tha k Bachcha Teen Din Takleef me rahega to iski tafseel ye Hai k Aapne Teen Din tak Doodh nahi piya tha aur Yahoodi ne Jo ye Kaha tha k - Haa'n Aap hi Uske Baap ho sakte Hai'n ,isse ye muraad hai k Arbo'n me Dada ko bhi Baap keh diya jata hai aur Nabi Kareem ﷺ ne ek Baar khud farmaya tha:- Mai'n Abdul Muttalib Ka Beta Hu'n _,"
★_Yahoodi ne Abdul Muttalib se ye bhi Kaha tha:- is bare me Apni Zubaan band rakhe'n Yani Kisi Ko Kuchh na bataye Varna Log is Bachche SE Zabardast Hasad karenge ,itna Hasad karenge k Aaj tak Kisi ne nahi Kiya aur iski is qadar sakht Mukhtalfat hogi k Duniya me Kisi aur ki itni mukhalfat nahi hui _,"
Pote ke Mutalliq ye baate sun Kar Abdul Muttalib ne Uyesh SE puchha - is Bachche ki Umar kitni hogi ?
Yahoodi ne is Sawal ke Jawab me Kaha :- Agar is Bachche ki Umar Taba'i hui to bhi Sattar Saal tak nahi hogi Balki isse Pehle hi 61 ya 63 saal ki Umar me wafaat ho jayegi aur iski Ummat ki Ausat Umar bhi itni hogi , iski Paida'ish ke Waqt Duniya ke But toot Kar gir Jayenge _,"
★__ Ye Saari Alamaat us Yahoodi ne Guzishta Ambiya ki peshgoiyo SE Maloom ki thi aur sab bilkul sach Saabit hui ,
Quresh Ke Kuchh log Amro bin Nufail aur Abdullah bin Jahash vagera Ek But ke paas Jaya Karte they,Ye us Raat bhi Uske Paas gaye jis Raat Aap ﷺ ki Paida'ish hui , Inhone Dekha Wo But Oundhe moonh gira pada hai , In logo ko ye Baat buri lagi , inhone usko uthaya Sidha Kiya , Wo fir Ulta ho gaya, Unhone fir usko Sidha Kiya Wo fir Ulta ho gaya ,In logo ko Bahut Hairat hui ,Ye Baat Bahut Ajeeb lagi ,Tab us But se Awaaz nikli ,"_ Ye Ek ese Bachche ki Paida'ish ki khabar hai Jiske Noor se Mashriq aur Magrib me Zameen Ke Tamaam goshe munavvar ho gaye Hai'n _,"
★__ But se nikalne wali Awaaz ne inhe aur zyada Hairat zada Kar diya ,Iske alawa ek Waqia ye pesh Aaya k Iraan ke Shehanshah Kisra Nosherwa'n Ka Mahal hilne laga aur usme Shagaaf pad gaye ( phat pada ) , Nosherwa'n Ka ye Mahal nihayat mazboot tha ,Bade bade Pattharo aur Choone se Tameer Kiya gaya tha ,Is Waqi'e SE Poori Saltnat me dahshat fail gayi , Shagaaf padne se Khofnaak Awaaz bhi nikli thi ,Mahal Ke 14 Kangure toot Kar niche aa fire they ,
★__ Aapki Paida'ish per ek Waqia ye pesh Aaya k Faaras ke Tamaam Aatish Kado ki wo Aag bujh gayi Jiski Wo log Pooja Karte they aur usko bujhne nahi dete they , Lekin is Raat me Ek hi Waqt me Tamaam ke Tamaam Aatish Kado ki aag Aanan Faanan bujh gayi, Aag ke poojne walo me Rona peetna mach gaya ,
Kisra ko ye Tamaam ittelaat mili to Usne ek Kaahin ko bulaya ,Usne Apne Mahal me Shagaaf padne aur Aatish Kado ki aag bujhne ke waqi'aat use Suna Kar puchha :- Aakhir esa kyu ho raha Hai ?
Wo Kaahin khud to Jawab na de saka ,Taaham Usne Kaha :- in sawalaat ke jawabaat Mera Maamu de Sakta Hai Uska Naam Satih hai _,"
Nosherwa'n ne Kaha - Theek hai Tum ja Kar in Sawalaat ke Jawab laao ,
Wo gaya ,Satih se mila ,Use ye Waqi'aat sunaye ,Usne Sun Kar Kaha :- Ek Asaa wale Nabi Zaahir honge Jo Arab aur Shaam per chhaa Jayenge aur Jo Kuchh hone wala Hai ho Kar rahega _,"
Usne Ye Jawab Kisra ko bataya , Us Waqt tak Kisra ne doosre Kaahino se bhi malumaat haasil Kar li thi , Chunache ye Sun Kar Usne Kaha :- Tab Fir abhi wo Waqt Aane me der hai ( Yani unka galba mere baad hoga )_,"
★__ Paida'ish Ke Saatve din Abdul Muttalib ne Aapka Aqeeqa Kiya aur Naam " Muhammad" rakha , Arbo'n me isse Pehle ye Naam Kisi Ka nahi rakha gaya tha, Quresh ki ye Naam Ajeeb sa laga , Chunache Kuchh logo ne Abdul Muttalib se Kaha :- Ey Abdul Muttalib ! Kya vajah Hai k Tumne is Bachche ka Naam iske Baap Dada ke Naam per nahi rakha Balki Muhammad rakha hai aur ye Naam na Tumhare Baap Dada me se Kisi Ka hai na Tumhari Qaum me se Kisi Ka hai_,"
Abdul Muttalib ne Unhe Jawab diya :- Meri Tamanna hai k Aasmano me Allah Ta'ala is Bachche ki tareef farmaye aur Zameen per Log iski Tareef Kare'n _,"
(Muhammad ke ma'ani Hai'n Jiski Bahut zyada Tareef ki Jaye )
★__ Isi Tarah Walida ki taraf se Aapka Naam "Ahmad" rakha gaya, Ahmad Naam bhi isse Pehle Kisi Ka nahi rakha gaya tha, Matlab ye k in Dono Naamo ki Allah Ta'ala ne Hifazat ki aur koi bhi ye Naam na rakh saka ,( Ahmad Ka Matlab hai Sabse zyada Tareef Karne wala )
Allama Sahli ne Likha hai Aap Ahmad Pehle Hai'n aur Muhammad baad me ,Yani Aapki tareef doosro ne baad me ki ,isse Pehle Aapki shaan ye Hai k Aap Allah Ta'ala ki Sabse zyada Hamdo Sana Karne Wale Hai'n , Purani Kitabo me Aapka Naam Ahmad zikr Kiya gaya hai ,
★_ Apni Walida ke baad Aapne Sabse Pehle Sobiya Ka Doodh piya ,Sobiya Nabi Kareem ﷺ ke chacha Abu Lahab ki Baandi thi ,inko Abu Lahab ne Aapki Paida'ish ki Khushi me Azaad Kar diya tha ,Sobiya ne Aapko Chand din tak Doodh pilaya , Inhi Dino Sobiya ke Yaha'n Apna Beta Paida hua tha, Aapki Walida ne Aapko Sirf 9 din tak Doodh pilaya, inke baad Sobiya ne pilaya, Fir Doodh pilane ki baari Hazrat Halima S'adiya Raziyllahu anha ki aayi ,
★_ Hazrat Halima S'adiya Raziyllahu anha Apni Basti se rawana hui ,inke Saath inka Doodh pita Bachcha aur Shohar bhi they ,
Hazrat Halima S'adiya Raziyllahu anha doosri Aurto'n ke baad Makka me dakhil hui ,inka Khachchar Bahut Kamzor aur Mariyal tha ,inke Saath inki Kamzor aur Budhi ountni thi ,Wo Bahut Ahista chalti thi , Inki vajah se Halima Raziyllahu anha Qafile se Bahut Pichhe reh Jati thi , Is Waqt bhi esa hi hua ,Wo Sabse Aakhir me Makka me dakhil hui ,
*📕_ Seeratun Nabi ﷺ_,,*
╨─────────────────────❥
*┱✿_Halima S'adiya Raziyllahu Anha Ki God me_-_,*
★__ Us zamane me Arab Ka Dastoor tha k Jab unke Yaha'n koi Bachcha paida hota to Wo dehaat se Aane wali daa'iyo'n ke hawale Kar dete they Taki Dehaat me Bachche ki nasho numa behtar ho aur Wo khalis Arbi Zubaan seekh sake ,
Daa'iyo'n Ka Qafila Makka me dakhil hua , Unhone un gharo ki Talash shuru ki jinme Bachche paida hue they ,is Tarah Bahut si Daa'iya'n Janab Abdul Muttalib ke Ghar me aayi , Nabi Kareem ﷺ ko dekha Lekin jab Unhe Maloom hua k ye Bachcha to Yateem paida hua hai to is khayal se Chhod Kar aage bad gayi k Yateem Bachche ke gharane se Unhe kya milega ,Is Tarah Daa'iya'n aati rahi jati rahi ... Kisi ne Aapko Doodh pilana manzoor na Kiya aur Karti bhi kese ? Ye Sa'adat to Hazrat Halima Raziyllahu anha ke hisse me Aana thi ,
★__Jab Halima Raziyllahu anha Makka pahunchi to unhe Maloom hua ,sab Aurto'n ko koi na koi Bachcha mil gaya hai aur ab Sirf wo bager Bager Bachche ke reh gayi Hai AUR ab koi Bachcha baqi nahi bacha , Haa'n ek Yateem Bachcha Zaroor baqi hai jise doosri Aurte'n Chhod gayi Hai'n ,
Halima S'adiya Raziyllahu anha ne Apne Shohar Abdullah ibne Haaris se Kaha :- khuda ki qasam ! Mujhe ye Baat nagawaar guzar rahi hai k Mai'n Bachche ke bager jau'n Doosri sab Aurte'n Bachche le Kar Jaye'n , Ye mujhe Taana denge ,isliye Kyu'n na hum is Yateem Bachche ko le Le'n ,
Abdullah bin Haaris bole :- Koi harj nahi ! Ho Sakta Hai Allah usi Bachche ke zariye Hume Khayro Barkat ata farma de _,"
★__ Chunache Hazrat Halima S'adiya Raziyllahu anha Abdul Muttalib ke Ghar gayi ,Janab Abdul Muttalib aur Hazrat Aamna ne Unhe Khush Aamdeed Kaha , Fir Aamna Unhe Bachche ke paas le aayi , Aap Us Waqt Ek ouni Chaadar me lipte hue they, Wo Chaadar Safed rang ki thi ,Aapke niche ek sabz rang Ka reshmi Kapda tha ,Aap sidhe Lete hue they, Aapke Saa'ns ki Awaaz ke Saath mushk ki si Khushbu Nikal Kar fail rahi thi ,Halima S'adiya Raziyllahu anha Aapke Husno Jamaal ko dekh Kar Hairat zada reh gayi ,Aap us Waqt soye hue they , Unhone jagana munasib na samjha Lekin Ju'nhi Unhone pyaar se Apna Haath Aapke seene per rakha ,Aap Muskura diye aur Aankhe'n khol Kar unki taraf dekhne lage _,
★__ Hazrat Halima S'adiya Raziyllahu anha farmati Hai'n :- Maine Dekha Aapki Aankho'n Se ek Noor nikla Jo Aasman tak pahunch gaya, Maine Aapko God me utha Kar Aapki Dono Aankho'n ke darmiyaan Jagah per pyaar Kiya ,Fir Maine Aapki Walda aur Abdul Muttalib se ijazat chahi , Bachche ko le Qafile me aayi , Maine Aapko Doodh pilane ke liye god me litaya to aap Daayi taraf SE Doodh pine lage , Pehle Maine Baayi taraf SE Doodh pilana Chaha Lekin Aapne us taraf SE Doodh na piya ,Daayi taraf SE Aap foran Doodh pine lage , Baad me bhi Aapki Bahut Yahi Aadat rahi ,Aap Sirf Daayi taraf SE Doodh pite rahe ,Baayi taraf SE Mera Bachcha Doodh pita raha,
★__ Fir Qafila rawana hua ,Halima S'adiya Raziyllahu anha farmati Hai'n :- Mai'n Apne Khachchar per sawaar hui ,Aapko Saath le liya ,Ab Jo hamara Khachchar Chala to is qadar tez Chala k Usne Poore Qafile ki sawariyo'n ko Pichhe Chhod diya, Pehle Wo Mariyal hone ki bina per Sabse Pichhe rehta tha, Meri Khawateen Saathi hairaangi se mukhatib hui :-
"_ Ey Halima ! Ye Aaj kya ho raha Hai , Tumhara Khachchar is qadar tez Chal raha Hai kya ye Wohi Khachchar hai Jis per tum aayi thi aur Jiske liye Ek ek qadam uthana Mushkil tha ?
Jawab me Maine unse Kaha :- Beshak ye Wohi Khachchar hai,Allah ki qasam ! Iska maamla Ajeeb hai ,
★__ For ye log Banu Sa'ad ki basti pahunch gaye , un Dino ye ilaaqa Khushk aur Qahat zada tha , Halima S'adiya Raziyllahu anha farmati Hai'n :- us Shaam jab Hamari Bakriya'n char Kar waapas aayi to unke than Doodh se bhare they Jabki isse Pehle esa nahi tha , Unme se Doodh Bahut kam aur Bahut Mushkil SE nikalta tha ,Humne us Din Apni Bakriyo'n Ka Doodh Doha to Hamare saare bartan Bhar gaye aur Humne Jaan liya k ye Saari Barkat is Bachche ki vajah se hai , Aas paas Ki Aurto'n me bhi ye Baat fail gayi , Unki Ba-dastoor Bahut kam Doodh de rahi thi ,
★__ Garz Hamare Ghar me har taraf har cheez me Barkat Nazar Aane lagi ,Doosre log ta'ajjub me rahe ,is Tarah do maah guzar gaye ,Do maah hi me Aap Chalne firne lage ,Aap 8 maah ke hue to baate Karne lage aur Aapki baate samajh me aati thi , 9 maah ki Umar me to Aap Bahut saaf guftgu Karne lage ,
Is Dauraan Aapki Bahut si barkaat dekhne me aayi ,Halima S'adiya farmati Hai'n :-Jab Mai'n Aapko Apne Ghar le aayi to Banu Sa'ad Ka koi gharana esa na tha Jisse mushk ki Khushbu na aati ho ,is Tarah sab log Aapse Muhabbat Karne lage ,
★__ Jab Humne Aapka Doodh chhudaya to Aapki Zubaan Mubarak SE ye Alfaz nikle :-
*"_ Allahu Akbar Kabeera Walhamdu Lillaahi Kaseera Wa Sub'hanallahi Bukrata'nv Wa Aseela_,*
Yani Allah Ta'ala Bahut Bada hai , Allah Ta'ala ke liye behad tareef hai aur Uske Liye subeh v Shaam paaki hai _,"
★__ Fir Aap jab Do Saal ke ho gaye to hum Aapko le Kar Aapki Walda ke paas Aaye , is Umar ko pahunchne ke baad Bachcho ko Maa'n ke hawale Kar diya jata tha, Idhar hum Aapki Barkaat dekh chuke they aur Hamari Aarzu thi k Abhi Aap Kuchh aur muddat Hamare paas rahe'n , Chunache Humne is bare me Aapki Walda se baat ki ,Unse Yu'n Kaha :-
"_ Aap Hume ijazat dijiye k hum Bachche ko ek saal aur Apne paas rakhe'n , Mai'n darti Hu'n Kahi'n is per Makka ki bimariyo'n aur Aabo Hawa Ka Asar na ho Jaye _",
★__ Jab Humne unse Baar Kaha to Hazrat Aamna maan gayi aur Hum Aapko fir Apne Ghar le Aaye , Jab Aap Kuchh bade ho gaye to bahar Nikal Kar Bachcho ko dekhte they ,Wo Aapko khelte Nazar aate ,Aap unke Nazdeek na jaate ,Ek Roz Aapne mujhse puchha :-
"_ Ammi Jaan ! Kya Baat hai din me mere Bhai Behan Nazar nahi aate ? Aap Apne Doodh Shareek Bhai Abdullah aur Behno Anisa aur Sheema ke bare me puchh rahe they , Halima Raziyllahu anha farmati Hai'n Maine Aapko bataya - Wo subeh sawere Bakriya'n charane jate Hai'n, Shaam ke baad ghar aate Hai'n, Ye Jaan Kar Aapne farmaya :-
"_ Tab mujhe bhi unke Saath bhej diya Kare'n _,"
★__ Uske baad Aap Apne Bhai Behno ke Saath Jane lage , Aap Khush Khush jate aur waapas aate ,Ese me Ek din mere Bachche khofzada Andaz me darte hue Aaye aur ghabra Kar bole :-
"__ Ammi Jaan ! Jaldi chale ...Varna Bhai ( Muhammad ﷺ) Khatm ho Jayenge _,"
Ye sun Kar Hamare to Hosh ud gaye ,Daud Kar waha'n pahunche, Humne Aapko Dekha ,Aap khade hue they,Rang uda hua tha,Chehre per zardi chhayi hui thi aur ye isliye nahi tha k Aapko Seena Chaak kiye Jane se koi Takleef hui thi Balki un farishto ko dekh Kar Aapki Haalat hui thi ,
★__ Halima S'adiya Raziyllahu anha farmati Hai'n- Humne Aapse puchha - Kya hua tha ?
Aapne bataya - mere paas do Aadmi Aaye they ,Wo Safed Kapde hue they ,( Wo Dono Hazrat Jibraiyl aur Hazrat Mikaiyl Alaihissalam they ) un dono me SE ek ne Kaha :- Kya ye Wohi Hai'n?
Doosre ne Jawab diya:- Haa'n ye Wohi Hai'n,
Fir wo Dono mere qareeb Aaye ,mujhe pakda aur litaya ,Uske baad Unhone Mera pet Chaak Kiya aur usme se koi cheez Talash Karne lage , Aakhir Unhe Wo cheez mil gayi aur Unhone use baahar nikaal Kar faink diya , Mai'n nahi Jaanta wo kya cheez thi _,"
Us cheez ke bare me doosri Rivayaat me ye wazahat milti hai k wo Syaah Rang Ka Ek daana sa tha ,Ye insaan Ke jism me Shaitaan Ka Ghar hota hai aur Shaitaan insaan Ke badan me yahi'n se asraat daalta hai ,
★__ Hazrat Halima S'adiya Raziyllahu anha farmati Hai'n- fir hum Aapko Ghar le Aaye, us Waqt mere Shohar Abdullah bin Haaris ne mujhse Kaha :- Halima ! Mujhe dar hai , Kahi'n is Bachche ko koi nuqsaan na pahunch Jaye isliye use Uske Ghar walo ke paas pahuncha do _,"
Maine Kaha - Theek hai ,Fir hum Aapko le Kar Makka ki taraf rawana hue ,Jab Mai'n Makka ke baalayi ilaaqe me pahunchi to Aap Achanak gayab ho gaye , Mai'n hawaas baakhta ho gayi _,"
★__ Halima S'adiya farmati Hai'n, Mai'n pareshani ki haalat me Makka pahunchi ,Aapke Daada Abdul Muttalib ke paas pahunchte hi Maine Kaha :- Mai'n Aaj Raat Muhammad ko le Kar aa rahi thi, Jab Mai'n Baalayi ilaaqe me pahunchi to Wo Achanak Kahi'n gum ho gaye ,Ab khuda ki qasam Mai'n nahi jaanti wo Kaha'n Hai'n ?
Abdul Muttalib ye sun Kar foran Kaaba ke paas khade ho gaye , Unhone Aapke mil Jane ke liye Dua ki ,Fir Aapki Talash me rawana hue , Unke Saath Warqa bin Nofal bhi they ,Garz dono Talash Karte Karte Tahama ki waadi me pahunche ,Ek darakht ke niche Unhe ek ladka khada Nazar Aaya , Us darakht ki shaakhe'n bahut ghani thi , Abdul Muttalib ne Puchha - Ladke tum kon ho ?
★_ Huzoor ﷺ chunki us Waqt tak qad nikaal chuke they isliye Abdul Muttalib pehchan na sake ,Aapka qad Tezi SE bad raha tha , Jawab me Aapne farmaya:- Mai'n Muhammad bin Abdullah bin Abdul Muttalib Hu'n ,
Tum per Meri Jaan qurban, Mai'n hi Tumhara Daada Abdul Muttalib Hu'n ,
Fir Unhone Aapko utha Kar Seene se lagaya aur rone lage ,Aapko ghode per Apne aage bithaya aur Makka ki taraf chale ,Ghar aa Kar Unhone Bakriya'n aur Gaae'n zibah ki aur Makke walo ki dawat ki ,
★__ Aapke mil Jane ke baad Hazrat Halima S'adiya Hazrat Aamna ke paas aayi to unhone puchha - Halima ! Ab Aap Bachche ko Kyu'n le aayi ,Aapki to khwahish thi k ye Abhi Aapke paas aur rahe ?
Unhone Jawab diya - Ye ab bade ho gaye Hai'n aur Allah ki qasam Mai'n Apni zimmedari Poori Kar chuki Hu'n , Mai'n Khof mehsoos Karti rehti Hu'n Kahi'n inhe koi haadsa na pesh aa Jaye ,Lihaza inhe Aapke supurd Karti Hu'n ,
Hazrat Aamna ko ye Jawab sun Kar Hairat hui , Boli - mujhe sach bata'o maajra kya hai ?
★__ Tab Unhone Saara Haal Keh sunaya , Halima S'adiya Raziyllahu anha ne dar asal Ka'i Ajeeb v gareeb waqi'aat dekhe they ,Un waqi'aat ki vajah se wo Bahut pareshan ho gayi thi ,Fir Seena Mubarak Chaak kiye Jane wala Waqia pesh aaya to Wo Aapko fori tor per waapas Karne per majboor ho gayi , Wo Chand waqi'aat Hazrat Halima Raziyllahu anha is Tarah Bayan karti Hai'n :-
"_ Ek martaba Yahoodiyo'n ki ek Jama'at mere paas se guzri ,Ye Log Aasmani Kitaab Tauraat ko maanne Ka Daava Karte they, Maine unse Kaha- Kya Aap log mere is Bete ke bare me Kuchh bata sakte Hai'n ?
Saath hi Maine Huzoor Akram ﷺ ki Paida'ish ke bare me unhe Tafsilaat sunayi , Yahoodi Tafsilaat sun Kar aapas me Kehne lage:- is Bachche ko qatl Kar dena Chahiye ,
Ye keh Kar Unhone puchha - Kya ye Bachcha Yateem hai ?
Maine unki Baat sun li thi k wo unke qatl Ka iraada Kar rahe Hai'n, Maine Jaldi se Apne Shohar ki taraf ishara Karte hue Kaha - Nahi , ye rahe is Bachche ke Baap ,
Tab Unhone Kaha - Agar ye Bachcha Yateem hota to hum Zaroor ise qatl Kar dete ,
★_ ye Baat Unhone isliye Kahi k unhone Purani Kitaabo me padh rakha tha k ek Aakhri Nabi aane Wale Hai'n ,Unka Deen saare Aalam me fail Jayega ,Har taraf unka bol baala Hoga ,Unki Paida'ish aur Bachpan ki ye ye Alamaat hongi aur ye k wo Yateem honge ,Ab chunki unse Halima S'adiya ne ye keh diya k ye Bachcha Yateem nahi hai to unhone khayal Kar liya k ye Bachcha wo nahi hai ,is Tarah Unhone Bachche ko qatl Karne Ka iraada tark Kar diya ,
★_ Isi Tarah Unke Saath ye waqi'a pesh Aaya,Ek Marta wo Aapko Ukaaz ke Mele me le aayi ,Jahiliyat ke daur me Yaha'n Bahut Mash'hoor Mela Lagta tha ,Ye Mela Taa'if aur Nakhla ke darmiyaan me Lagta tha, Arab ke log Hajj Karne aate to Shawwal Ka Mahina is mele me guzaarte ,Khelte Koodte aur Apni Bada'iya'n Bayan karte ,Halima S'adiya Raziyllahu anha Aapko liye Bazaar me ghoom rahi thi k ek Kaahin ki Nazar Aap per padi ,Use Aap me Nabuwat ki Alamat Nazar aa gayi,Usne pukaar Kar Kaha :- logo ,is Bachche ko maar daalo ,
Halima us Kaahin ki Baat sun Kar ghabra gayi aur jaldi SE waha'n SE Nikal gayi ,is Tarah Allah Ta'ala ne Huzoor Aqdasﷺ ki Hifazat farmayi ,
★_ Mele me mojood logo ne Kaahin ki Awaaz sun Kar idhar udhar dekhab k Kisi Bachche ko qatl Karne Ke liye Kaha gaya hai,Magar Unhe waha'n koi Bachcha Nazar nahi Aaya ,Ab logo ne Kaahin SE Puchha kya Baat hai ,Aap Kisi Bachche ko maar daalne ke liye keh rahe Hai'n ?
Usne un logo ko bataya - Maine abhi ek Ladke ko dekha hai ,Ma'aboodo ki qasam wo Tumhare Deen ke maanne walo ki qatl karega ,Tumhare Buto ko todega aur Wo tum sab per Gaalib aayega ,
Ye sun Kar log Aapki Talash me idhar udhar daude Lekin nakaam rahe ,
★__ Halima S'adiya Raziyllahu anha Aap ﷺ ko liye waapas aa rahi thi k Zil Hijaaz se unka guzar hua , Yaha'n bhi Mela laga hua tha ,is Bazaar me Ek Najumi tha ,Log Uske Paas Apne Bachcho ko le Kar aate they ,Wo Bachcho ko dekh Kar unki Qismat ke bare me andaza lagata tha , Halima S'adiya Uske Nazdeek SE guzri to Najumi ki Nazar Huzoor Aqdasﷺ per padi , Najumi ko Aap ﷺ ki muhare Nabuwat Nazar aa gayi,Saath hi Aap ﷺ ki Aankho'n ki khaas surkhi Usne dekh li ,Wo chilla utha -- Ey Arab ke logo ,is Ladke ko qatl Kar do ,Ye Yaqinan Tumhare Deen ke maanne walo ko qatl karega ,Tumhare Buto ko todega aur tum per Gaalib aayega,
Ye Kehte hue wo Aapki taraf jhapta Lekin usi Waqt wo Paagal ho gaya aur usi pagalpan me mar gaya,
★__ Ek aur Waqia Seerat ibne Hisham me hai k Habsha ke iysaiyo'n ki ek Jama'at Huzoor Akram ﷺ ke paas se guzri,Us Waqt Aap ﷺ Halima S'adiya ke Saath they aur Wo Aapki Walda ke hawale Karne ja rahi thi, Un iysaiyo'n ne Aap ﷺ ke Mondo ke darmiyaan Mohre Nabuwat ki dekha aur Aap ﷺ ki Aankho'n ki surkhi ko bhi dekha , Unhone Halima S'adiya se Puchha - Kya is Bachche ki Aankho'n me koi Takleef hai ?
Unhone Jawab me Kaha - Nahi koi Takleef nahi ,Ye Surkhi to inki Aankho'n me qudrati hai ,
Un iysaiyo'n ne Kaha- Tab is Bachche ko Hamare hawale Kar do ,Hum use Apne mulk le Jayenge, Ye Bachcha Paigambar aur Badi Shaan wala hai , Hum iske bare me sab Kuchh jaante Hai'n ,
★__ Halima S'adiya ye Sunte hi waha'n se door Chali gayi , Yaha'n tak k Aap ﷺ ko Aapki Walda ke paas pahuncha diya ,
In waqi'aat me Jo Sabse aham Waqia hai wo Seena Mubarak Chaak Karne Wala tha , Rivayaat SE ye Baat Saabit hai k Aap ﷺ ke Seene Mubarak per Silayi ke nishanaat mojood they, Jesa k Aaj kal Doctor Hazraat Operation ke baad Taanke lagate Hai'n ,Taanke Khol diye Jane ke baad bhi Silayi ke nishanaat mojood rehte Hai'n, is Waqi'e ke baad baad Halima S'adiya aur Unke Khawind ne Faisla kiya k ab Bachche ko Apne paas nahi rakhna Chahiye ,
★__ Hazrat Halima S'adiya ne Aap ﷺ ko Hazrat Aamna ke hawale Kiya ,Us Waqt Aap ﷺ ki Umar 4 Saal thi ,Ek rivayat ye milti hai k us Waqt Umar Shareef 5 Saal thi ,Ek Teesri rivayat ke mutabiq Umar Mubarak 6 Saal ho chuki thi ,
Jab Halima S'adiya ne Aap ﷺ ko Hazrat Aamna ke hawale Kiya to uske Kuchh Dino baad Hazrat Aamna inteqal Kar gayi ,Walda Ka Saaya bhi sar SE uth gaya , Hazrat Aamna ki wafaat Makka aur Madina ke darmiyaan Abwa ke Muqaam per hui ,Aapko Yahi dafan Kiya gaya ,
★__ Huwa ye k Aap ﷺ ki Walda Aap ﷺ ko le Kar Apne Mayke Madina munavvara gayi ,Aap ﷺ ke Saath Umme Eman bhi thi ,Umme Eman kehti Hai'n- Ek Din Madina ke do Yahoodi mere paas Aaye aur bole - Zara Muhammad ko Hamare Saamne lao ,Hum inhe dekhna chahte Hai'n, Wo Aap ﷺ ko unke Saamne le aayi , Unhone Achchhi Tarah dekha fir Ek ne Apne Saathi SE Kaha - Ye is Ummat Ka Nabi hai AUR Ye Shehar inki Hizrat gaah hai , Yaha'n Zabardast Jung hogi , Qaidi pakde Jayenge ,
Aap ﷺ ki Walda ko Yahoodiyo'n ki is Baat Ka pata Chala to Aap dar gayi aur Aap ﷺ ko le Kar Makka ki taraf rawana hui ... Magar Raaste hi me Abwa ke Muqaam per wafaat pa gayi ,
*📕_ Seeratun Nabi ﷺ_,,*
╨─────────────────────❥
*┱✿_Nirali Shaan Ka Maalik-_,*
★__ Hazrat Aamna ke inteqal ke 5 din baad Umme Eman Aapko le Kar Makka pahunchi, Aapko Abdul Muttalib ke hawale Kiya ,Aapke Yateem ho Jane Ka Unhe itna sadma hua tha k Bete ki wafaat per bhi itna nahi hua tha ,
★_Abdul Muttalib ke liye Kaaba ke saaye me Ek Qaleen bichhaya jata tha, Wo us per betha Karte they, Unka Ahatraam is qadar tha k Koi aur us Qaleen per bethta nahi tha, Chunache unke bete aur Quresh Ke Sardaar us Qaleen ke Charo taraf bethte they ,Lekin Rasulullah ﷺ waha'n Tashreef late to sidhe us Qaleen per ja bethte , Us Waqt Aap ek tandurast Ladke they Aapki Umar 9 Saal ke qareeb ho Chali thi , Aapke chacha Abdul Muttalib ke adab ki vajah se Aapko us Qaleen se hatana chahte to Abdul Muttalib Kehte :- "_mere Bete ko Chhod do ,Allah ki qasam ye Bahut Shaan wala Hai _,"
Fir Aapko Muhabbat se us Farsh per bethate ,Aapki qamar per Shafqat se Haath fairte ,Aapki baate sun sun Kar had darje Khush hote rehte ,
★__ Kabhi wo doosro se Kehte :- mere Bete ko yahi'n bethne do ,ise khud bhi ahsaas hai k uski Badi Shaan hai aur meri Aarzu hai ye itna Buland rutba paye Jo Kisi Arab ko isse Pehle haasil na hua ho aur na baad me Kisi Ko haasil ho sake ,
Ek Baar Unhone ye Alfaz kahe :- mere Bete ko Chhod do, iske mizaaj me Taba'i tor per bulandi hai ... Iski Shaan niraali ho gayi _,"
Yaha'n tak k Umar ke Aakhri hisse me Hazrat Abdul Muttalib ki Aankhe'n Jawab de gayi thi, Aap Nabeena ho gaye they ,Esi Haalat me Ek Roz wo us Qaleen per Bethe they k Aap Tashreef le aye aur sidhe us Qaleen per ja pahunche ,Ek Shakhs ne Aapko Qaleen se Kheench liya ,is per Aap rone lage ,Aapke rone ki Awaaz sun Kar Abdul Muttalib bechen hue aur bole :- Mera Beta kyu ro raha Hai ?
Aapke Qaleen per bethna Chahta hai...Humne ise Qaleen se utaar diya hai ,
Ye Sun Kar Abdul Muttalib ne Kaha:- mere Bete ko Qaleen per hi betha do Ye Apna rutba pehchanta hai ,Meri Dua hai k ye us rutbe ko pahunche Jo isse Pehle Kisi Arab ko na mila ho , iske baad Kisi Ko na mile_,"
★_iske baad fir Kisi ne Aapko Qaleen per bethne se nahi roka ,
★__ Ek Roz Bnau Mudlaj ke Kuchh log Hazrat Abdul Muttalib se Milne ke liye Aaye ...unke paas us Waqt Aap ﷺ bhi Tashreef farma they ,Banu Mudlaj ke logo ne Aapko dekha , Ye log Qiyafa Shanash they ,Aadmi ka Chehra dekh Kar Uske mustaqbil ke bare me andaze Bayan karte they, Unhone Abdul Muttalib se Kaha :-
"_ Is Bachche ki Hifazat Kare'n ,isliye k Maqame Ibrahim Jo Hazrat Ibrahim Alaihissalam Ke qadam Ka nishaan Hai ,Is Bachche ke Paanv Ka nishaan bilkul us nishan se milta julta hai ,is qadar mushab'hat Humne Kisi or ke Paanv ke nishaan me nahi dekhi ... Hamara khayal hai ..ye Bachcha nirali Shaan Ka Maalik Hoga .. isliye iski Hifazat Kare'n_,"
★__ Maqame Ibrahim Khana Kaaba me Wo patthar hai Jis per Hazrat Ibrahim Alaihissalam Kabaa ki Tameer ke Waqt khade hue they, Mo'jze ke tor per us patthar per Ibrahim Alaihissalam Ke pero ke nishaan pad gaye they , Log us Patthar ki Ziyarat Karte Hai'n,Yahi Maqame Ibrahim hai , Chuki Aap Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki nasl se Hai'n isliye unke Paanv ki mushab'hat Aap me Hona qudrati Baat hai ,
★__ Ek Roz Hazrat Abdul Muttalib Khana Kaaba me Hajre Aswad ke paas Bethe hue they,ese me unke paas Najraan ke iyasa'i aa gaye, Unme ek Paadri bhi tha ,Us Paadri ne Abdul Muttalib se Kaha:- Hamari Kitaabo me Ek ese Nabi ki Alamaat Hai Jo Ismail ki Aulaad me Hona baqi hai,Ye Shehar uski jaa'e Paida'ish Hoga ,Uski ye ye nishaniya'n Hogi ,
Abhi ye Baat ho rahi thi k Koi Shakhs Aapko le Kar waha'n aa pahuncha ,Paadri ki Nazar Junhi aap per padi ,Wo chonk utha ,Aapki Aankho'n,kamar aur pero ko Dekh Kar wo chilla utha :- Wo Nabi Yahi Hai'n,Ye Tumhare kya lagte Hai'n ?
Abdul Muttalib bole - Ye mere Bete Hai'n ,
Is per Paadri Bola - oh ! Tab ye wo nahi .. isliye k Hamari Kitaabo me Likha hai k Unke waalid Ka inteqal unki Paida'ish se Pehle ho Jayega,
Ye sun Kar Abdul Muttalib bole :- Ye dar asal Mere Pote Hai'n ,inke Baap Ka inteqal ho gaya tha jab ye Paida bhi Nahi hue thy,
Is per Paadri Bola:- Haa'n ! Ye Baat hui na ..Aap inki Poori Tarah Hifazat Kare'n _,"
★__ Abdul Muttalib ki Aapse Muhabbat Ka ye Aalam tha k Khana khane bethte to Kehte - mere Bete ko le aao _,"
Aap Tashreef late to Abdul Muttalib Aapko Apne paas bithate , Aapko Apne Saath khilate ,
Bahut zyada umr wale Ek Sahabi Haydah bin Mu'awiya Raziyllahu anhu Kehte Hai'n :- Mai'n Ek martaba islam SE Pehle Jahiliyat ke zamane me Hajj Ke liye Makka Muazzama gaya , Waha'n Baitullah Ka tawaaf Kar raha tha ,Maine Ek ese Shakhs ko dekha Jo bahut Budha aur bahut lambe qad Ka tha ,Wo Baitullah Ka tawaaf Kar raha tha aur Keh raha tha - Ey mere Parwardigaar Meri sawari ko Muhammad ki taraf fayr de aur use mera dast v baazu bana de ,
Maine us Budhe ko jab ye Shayr Padhte Suna to logo se Puchha - Ye Kon Hai'n ?
Logo ne bataya - Ye Abdul Muttalib bin Hashim Hai'n , Unhone Apne Pote ko Apne Ek ount ki Talash me bheja he ,Wo ount gum ho gaya hai aur Wo Pota esa hai jab bhi Kisi gumshuda cheez ki Talash me use bheja jata hai to Wo cheez le Kar hi aata hai , Pote SE Pehle ye Apne Beto'n ko us ount ki Talash me bhej chuke Hai'n Lekin Wo nakaam lot aaye Hai'n ,Ab chunki Pote ko gaye hue dayr ho gayi hai isliye pareshan Hai'n aur Dua maang rahe Hai'n ,
"_ Thodi dayr guzri thi k Maine dekha k Aap ﷺ ount ko liye Tashreef la rahe Hai'n , Abdul Muttalib ne Aapko dekh Kar Kaha - Mere Bete ! Mai'n Tumhare liye is qadar fikrmand ho gaya tha k Shayad iska Asar Kabhi mere Dil SE na Jaye ,
★__ Abdul Muttalib ki Bivi Ka Naam Ruqayya bint Abu Saifi tha ,Wo kehti Hai'n :- Quresh Ka'i saal SE Qahat Saali Ka shikaar they, Barishe bilkul band thi ,Sab log pareshan they ,usi zamane me Maine Ek Khwab dekha ,koi Shakhs Khwab me keh raha tha - Ey Quresh Ke logo ,tumme se ek Nabi Zaahir hone wala Hai ,Uske Zahoor Ka Waqt aa gaya hai,Uske zariye tumhe Zindgi milegi Yani khoob Barishe hongi ,Sar sabzi aur Shadabi hogi Tum Apne logo me SE ek esa Shakhs Talash Karo Jo lambe qad Ka ho ,gore rang Ka ho ,uski palke ghani ho ,bhanwe aur Abro mile hue ho ,Wo Shakhs Apni Tamaam Aulaad me Saath nikle aur tumme se hat khandaan Ka Ek Aadmi nikle ,sab Paak Saaf ho aur Khushbu lagaye ,Wo Hajre Aswad ko bosa de for sab Jable Abu Qais per chadh Jaye ,fir Wo Shakhs Jiska Huliya bataya gaya hai Aage bade aur Baarish ki Dua maange aur tum sab Aameen Kaho to Baarish ho jayegi ,
★__ Subeh Hui to Ruqayya ne Apna ye Khwab Quresh SE Bayan Kiya , Unhone un Nishaniyo'n ko Talash Kiya to sabki sab nishaniya'n Unhe Abdul Muttalib me mil gayi , Chunache Sab unke paas Jama hue ,Har Khandaan SE ek ek Aadmi Aaya ,Un Sabne Shara'it Poori ki ,Uske baad sab Abu Qais Pahaad per Chad gaye, Unme Nabi Kareem ﷺ bhi they , Aap us Waqt nav Umar they , Fir Abdul Muttalib aage bade aur Unhone Yu'n Dua ki :-
"__ Ey Allah ! Ye sab Tere Gulaam Hai'n ,Tere Gulamo ki Aulaad Hai'n,Teri Bandiya'n Hai'n aur Teri Bandiyo'n ki Aulaad Hai'n, Hum per Jo Bura Waqt aa pada hai Tu Dekh Raha Hai ,Hum musalsal Qahat Saali Ka shikaar Hai'n ,Ab ount ,gaay ,ghode , Khachchar aur gadhe sab Kuchh Khatm ho chuke Hai'n aur Jaanwaro per ban aayi hai ,isliye Hamari ye Khushk Saali Khatm farma de Hume Zindgi aur sarsabzi aur Shadabi ata farma de _,"
★__ Abhi ye Dua maang hi rahe they k Barish shuru ho gayi ,Waadiya'n Pani SE Bhar gayi Lekin us Baarish me Ek Bahut Ajeeb baat hui aur Wo Ajeeb baat ye thi k Quresh ko ye Sairaabi Zaroor haasil hui Magar ye Baarish Qabila Qais aur Qabila Muzir ki qareebi Bastiyo'n me bilkul na hui , Ab log Bahut Hairaan hue k ye kya Baat hui ,Ek Qabile per Baarish aur Aas paas ke sab Qabile Baarish SE mehroom .... Tamaam Qabilo ke Sardaar Jama hue ,is Silsile me Baat cheet shuru hui , Ek Sardaar ne Kaha :-
Hum Zabardast Qahat aur Khushk Saali Ka shikaar Hai'n Jabki Quresh ko Allah Ta'ala ne Baarish ata ki hai aur Ye Abdul Muttalib ki vajah se huwa isliye hum sab unke paas chalte Hai'n,Agar Wo Hamare Liye Dua Kar de to Shayad Allah Hume bhi Baarish de de,
★__ Ye Mashwara sabko Pasand Aaya , Chunache ye log Makka Muazzama me Aaye aur Abdul Muttalib se mile ,Unhe Salam Kiya fir unse Kaha :-
"_ Ey Abdul Muttalib! Hum Ka'i saal SE Khushk Saali ke shikaar Hai'n Hume Aapki Barkat ke bare me Maloom huwa hai , isliye Meharbani farma Kar Aap Hamare Liye bhi Dua Kare'n , isliye k Allah ne Aapki Dua SE Quresh ko Baarish ata ki hai ,
Unki Baat sun Kar Abdul Muttalib ne Kaha :-
"_ Achchhi Baat hai , Mai'n Kal Maidane Arafaat me Aap logo ke liye bhi Dua Karunga _,"
★__ Doosre Din subeh sawere Abdul Muttalib maidane Arafat Ki Taraf ravana hue, unke saath doosre logo'n ke alava unKe Bete aur Allah Ke Rasool ﷺ they , Arafat ke maidaan me Abdul muttlib ke liye ek kursi bichhayi gayi , wo us per baith gaye, Nabi Kareem ﷺ ko unhone Goad me baitha liya, FIR unhone hath uthakar Dua ki :-
"_ Ey Allah ! chamakne wali bijali ke parvardigaar aur kadakne wali garaj Ke Malik , paalne walo ke paalne wale aur Mushkilaat ko aasan Karne Wale, ye Qabila Qais aur Qabila Muzir Ke Log Hai'n, ye bahut pareshan Hai'n, inKi kamre jhuk gayi Hai'n, ye tujhse apni lachari aur bekasi ki fariyad Karte Hai'n aur Jaan v Maal ki barbadi ki Shikayat Karte Hai'n, Pas Ey Allah ,inke liye khoob barasne wale badal bhej de aur aasman Se inKe Liye rahamat ata farma taki inki Zameen sar Sabz ho jaye aur inki takalif door ho jaye,
★__ Abdul muttalib abhi yeh Dua Kar Hi rahe they k ek Siyah baadal utha, Abdul ki taraf Aaya aur uske baad uska rukh Qabila Qais aur Bani Muzir ki Bastiyo'n ki taraf Ho gaya , yah Dekh Kar Abdul Muttalib ne Kaha :-
"_ Ey Giroh Quresh aur Muzir jao tumhe Sairaabi haasil ho gayi ,
chunache ye log Jab Apni Bastiyo'n me pahunche To waha'n baarish shuru ho chuki thi,
★_ Aap 7 sal ke ho chuke they k Aapki Aankhe'n dukhne Ko aa gayi ,Makka me Aankho'n ka ilaaj karaya gaya lekin ifaq Na Hua, Abdul Muttalib Se Kisi ne Kaha- Ukaaz Ke Bazaar me Ek Raahib rehta Hai, wo aankhon Ki takaleef ka ilaaj karta hai ,
Abdul muttlib aapko Uske pass Le Gaye , uski ibaadatgaah ka darvaza band tha ,unhone Awaaz di, Rahib ne Koi jawab Na diya, Achanak ibaadatgaah me Shdeed zalzala Aaya , Rahib dar gaya k Kahi'n ibadat khana uske upar na gir pade, isliye ek dam bahar nikal Aaya ,
Ab usne aapko Dekha to cho'nk utha, usne Kaha:-
Ey Abdul Muttalib ye ladka is Ummat Ka Nabi hai ,agar me Bahar na nikal aata to ye ibaadatgaah Zaroor mujh per gir padta, is ladke ko foran wapas le Ja'o aur iski hifazat karo, Kahi'n Yahoodiyo'n ya Iysaiyo'n me Se Koi ise qatl na Kar de ,
Fir usne Kaha:- aur rahi Baat inKi Aankho'n Ki...to Aankho'n Ki Dua To Khud inKe pass mojood hai,
Abdul Muttalib ye sunkar Hairaan hue aur bole- inke apne pass hai Mai'n samjha Nahi?
Haa'n inka luwabe dahan Unki Aankho'n me lagaye,
Unhone esa hi kiya, Aankhe'n foran theek ho gayi,
★__ Purani Aasmani Kitaabo me Aapki Bahut si nishaniya'n likhi hui thi ,Iski Tafseel Bahut dilchasp hai ,
★_ Yaman me Ek Qabila Hameer tha , Waha'n Ek Shakhs Saif bin Yazan tha , Wo Saif Hameeri kehlata tha ,Kisi zamane me Uske Baap Dada us Mulk per Hukumat Karte they Lekin fir Habshiyo'n ne Yaman per hamla Kiya aur us per qabza Kar liya , Waha'n Habshiyo'n ki Hukumat ho gayi ,70 Saal tak Yaman Habshiyo'n ke qabze me raha ,Jab ye Saif bada hua to Uske andar Apne Baap Dada Ka mulk Azaad karane ki umang paida hui , Chunache Usne ek Fauj Taiyaar ki ,Us Fauj ke zariye Habshiyo'n per hamla Kiya aur Unhe bhaga diya ,Is Tarah wo Baap Dada ke mulk ko Azaad karane me Kamyaab ho gaya, Waha'n Ka Baadshah ban gaya ,Ye Yaman Arab Ka ilaaqa tha ,Jab us per Habshiyo'n ne qabza Kiya tha to Arbo'n ko Bahut afsos hua , 70 Saal baad jab Yaman ke logo ne Habshiyo'n ko nikaal bahar Kiya to Arbo'n ko Bahut Khushi hui ,Unki Khushi ki ek vajah ye thi k unhi Habshiyo'n ne Abraha ke saath Makka per chadayi ki thi,Chaaro taraf SE Arbo'n ke wafad Saif ko Mubarak baad dene ke liye aane lage ,
★__ Quresh Ka bhi Ek wafad Mubarak dene ke liye gaya ,Us wafad ke Sardaar Abdul Muttalib they , Ye Wafad jab Yaman pahuncha to Saif Apne Mahal me tha ,Uske Sar per Taaj tha ,Saamne Talwaar rakhi thi aur Hameeri Sardaar Uske daaye baaye Bethe they, Saif ko Quresh Ke wafad ki Aamad ke bare me bataya gaya,Use ye bhi bataya gaya k ye log Kis Rutbe ke Hai'n ,Usne un logo ko Aane ki ijazat de di , Ye wafad darbaar me pahuncha ,Abdul Muttalib aage badh Kar Uske Saamne ja Kar khade hue , Unhone Baat Karne ki ijazat chahi , Saif ne Kaha :-
Agar tum Baadshaho ke Saamne bolne ke adaab se Waqif ho to Hamari taraf se ijazat hai ,
Tab Abdul Muttalib ne Kaha:- Ey Baadshah hum Kaabe ke khadim Hai'n ,Allah Ke Ghar ke muhafiz Hai'n ,Hum Aapko Mubarak baad dene Aaye Hai'n ,Yaman per Habshi Hukumat Hamare Liye bhi bojh bani hui thi,Aapko Mubarak ho ,Aapke is Kaarname se Aapke buzurgo ko bhi izzat milegi aur Aane wali naslo ko bhi waqaar haasil Hoga ,
★_ Saif unke Alfaz sun Kar Bahut Khush hua ,Be Akhtyar bol utha ,Ey Shakhs tum kon ho ,Kya Naam hai Tumhara ?
Unhone Kaha- Mera Naam Abdul Muttalib bin Hashim hai ,
Saif ne Hashim Ka Naam sun Kar Kaha - Tab to tum Hamari Behan Ke ladke ho ,
"_ Abdul Muttalib ki Walda Madine ke Qabile Khazraj ki thi aur Khazraj Ka Qabila DarAsal Yaman Ka tha , isliye Saif ne Hashim Ka Naam sun Kar Kaha - tab to tum Hamari Behan Ke ladke ho , Fir usne Kaha - Hum Aap sabko Khush Aamdeed Kehte Hai'n,Aapke Jazbaat ki qadar Karte Hai'n ,
★_"_ Uske baad Quresh Ke wafad ko sarkari mehmaan khane me thehra diya gaya ,Unki khoob Khatir madarar ki gayi ... Yaha'n tak k Ek Mahina guzar gaya ,Ek maah ki mehmaan nawazi ke baad Saif ne Unhe bulaya ,Abdul Muttalib ko Apne paas bula Kar Usne Kaha :-
"_ Ey Abdul Muttalib, Mai'n Apne ilm ke poshida raazo me SE ek raaz tumhe bata raha Hu'n ,Tumhare alawa koi or hota to Mai'n hargiz na batata ,Tum is raaz ko us Waqt tak raaz hi rakhna jab tak k Khud Allah Ta'ala us Raaz ko zahir na farma de ,
Hamare paas ek Poshida Kitaab hai Wo Poshida Raazo Ka Ek khazana hai ,Hum doosro SE usko chhupa Kar rakhte Hai'n ,Maine us Kitaab me Ek Bahut Azimush Shaan khabar aur Ek bade khatre ke bare me padh Liya hai ...aur Wo Aapke bare me hai ,
Abdul Muttalib ye baate sun Kar had darje Hairat zada hue aur pukaar uthe :- Mai'n samjha nahi ,Aap kehna kya chahte Hai'n ,
★__ Suno Abdul Muttalib , Jab Tahama ki waadi Yani Makka me esa Bachcha paida ho Jiske Dono Kandho ke darmiyaan baalo Ka guchchha ( Yani Mohre Nabuwat) ho to use imaamat aur sardaari haasil hogi AUR uski vajah se tumhe qayaam tak ke liye aizaaz milega ,izzat milegi ,
Abdul Muttalib ne ye sun Kar Kaha - Ey Baadshah ,Allah KARE Aapko bhi esi Khush bakhti mayassar Aaye ,Aapki Haiyat mujhe rok rahi hai Varna Mai'n Aapse puchhta k us Bachche Ka zamana kab Hoga ?
Baadshah ne Jawab me Kaha - Yahi uska zamana hai,Wo is zamane me Paida Hoga ya paida ho chuka hai ,uska Naam Muhammad Hoga , Uski Walda Ka inteqal ho Jayega ,Uske Dada aur Chacha uski parwarish karenge ,Hum bhi Uske Aarzumand Hai'n k wo Bachcha Hamare Yaha'n paida ho , Allah Ta'ala use Khule aam Zaahir farmayega aur Uske Liye Humme SE ( Yani Madina ke Qabile Khazraj me ) us Nabi ke madadgaar banayega ( Humme SE Usne isliye Kaha k Khazraj asal me Yaman ke log they ) Unke zariye us Nabi ke khandaan aur Qabile walo ko izzat haasil hogi aur Unke zariye Uske dushmano ko zillat milegi aur Unke zariye wo Tamaam logo se muqabla karega aur Unke zariye Zameen Ke aham ilaaqe Fatah ho Jayenge ,Wo Nabi Rehmaan ki ibaadat karega , Shaitaan ko dhamkayega ,Aatish Kado ko thanda karega ( Yani Aag ke pujariyo ko mitayega ) Buto ko tod dalega ,Uski har Baat Aakhri farmaan hogi ,Uske Ahkamaat insaaf wale honge ,Wo Nek kaamo Ka Hukm dega ,Khud bhi un per Amal karega ,Buraiyo'n se rokega ,Unko Mita dalega ,
★_ Abdul Muttalib ne Said bin Yazan ko Dua di ,fir Kaha- Kuchh or tafseel Bayan Kare'n ,
"__ Baat dhaki chhupi hai aur Alamaate Poshida Hai'n Magar Ey Abdul Muttalib isme Shubha Nahi k tum Uske Daada ho ,
Abdul Muttalib ye sun Kar foran Sajde me gir gaye aur fir Saif ne Unse Kaha - Apna sar uthao ,Apni peshani ounchi Karo aur mujhe bata'o Jo Kuchh Maine Tumse Kaha hai Kya Tumne inme SE koi Alaamat Apne Yaha'n dekhi hai ?
Is per Abdul Muttalib ne Kaha- Haa'n Mera Ek beta tha , Mai'n use Bahut Chahta tha ,Maine ek Shareef aur moazziz Ladki Aamna bint Wahab Abde Munaaf SE uski Shaadi Kar di ,Wo Meri Qaum ke intehayi Ba izzat khandaan SE thi ,Usse mere Bete ke Yaha'n ek ladka paida hua ,Maine uska naam Muhammad rakha ,Us Bachche Ka Baap aur Maa'n Dono faut ho chuke Hai'n,Ab Mai'n aur Uska Chacha Abu Taalib uski dekhbhal Karte Hai'n ,
★_ Ab Saif ne Unse Kaha- Maine tumhe Jo Kuchh bataya hai Wo Waqia is Tarah tha ,Ab tum Apne Pote ki Hifazat Karo ,Use Yahoodiyo'n SE bachaye rakho isliye k wo uske dushman Hai'n Ye aur Baat hai k Allah Ta'ala hargiz un logo ko un per qaabu nahi pane dega aur Maine Jo Kuchh Aapko bataya hai Uska Apne Qabile walo SE Zikr na Karna ,Mujhe Dar hai k in baato ki vajah se un Logo'n me Hasad AUR Jalan na paida ho Jaye , Ye log Soch sakte Hai'n ye izzat aur bulandi Aakhir Unhe kyu Milne wali hai ,Ye log unke Raaste me rukawate khadi karenge ,Agar ye log us Waqt tak zinda na rahe to unki Aulaade ye Kaam karengi ,Agar mujhe ye Maloom na hota k Us Nabi ke Zahoor SE Pehle hi maut mujhe aa legi to Mai'n Apne Ounto'n aur Qafile ke Saath rawana hota aur unki Saltnat ke markaz Yasrib pahunchta Kyunki Mai'n us Kitaab me ye Baat pata Hu'n k Shehar Yasrib unki Saltnat Ka markaz Hoga ,Unki Taaqat Ka sarchashma Hoga ,Unki madad aur nusrat Ka thikana Hoga aur unki wafaat ki Jagah hogi aur Unhe dafan bhi Yahi Kiya Jayega aur Hamari Kitaab Pichhle uloom se bhari padi hai,
"__ mujhe pata hai agar Mai'n is Waqt unki Azmat Ka elaan karu'n to Khud unke liye AUR mere liye khatraat paida ho Jayenge ,Ye Far na hota to Mai'n is Waqt unke bare me Tamaam baate sabko bata deta ,Arbo ke Saamne unki sar bulandi aur ounche rutbe ki dastaane Suna deta ,Lekin Maine ye raaz tumhe bataya hai ... Tumhare Sathiyo'n me se bhi Kisi Ko nahi bataya ,
★_ iske baad Usne Abdul Muttalib ke saathiyo'n ko bulaya ,unme se hat Ek ko das Habshi Gulaam Das Habshi Baandiya'n aur Dhaaridaar yamni chaadre ,Badi miqdaar me Sona Chaandi, so so ount aur Anbar ke bhare dibbe diye ,Fir Abdul Muttalib ko isse das guna zyada diya aur Bola - Saal guzarne per mere paas unki khabar le Kar Aana aur Unke Halaat batana ,
Saal guzarne SE Pehle hi us Baadshah Ka inteqal ho gaya ,
★_Abdul Muttalib Aksar us Baadshah Ka Zikr Kiya Karte they, Aap ﷺ ki Umar 8 Saal ki hui to Abdul Muttalib Ka inteqal ho gaya ,is Tarah Ek Azeem sarparast Ka Saath chhot gaya ,Us Waqt Abdul Muttalib ki Umar 95 Saal thi ,Tareekh ki Baaz Kitaabo me unki Umar isse bhi Zyada likhi hai ,
★_ Jis Waqt Abdul Muttalib Ka inteqal hua Aap ﷺ unki chaarpayi ke paas mojood they, Aap rone lage ,Abdul Muttalib ko Ajwan ke Muqaam per unke Daada Qusayi Ke paas dafan Kiya gaya ,
Marne SE Pehle Unhone Nabi Kareem ﷺ ko Apne Bete Abu Taalib ke hawale Kiya , Ab Abu Taalib Aapke nigraa'n hue ,Unhe bhi Aapse betahasha Muhabbat ho gayi , Unke Bhai Abbaas aur Zuber bhi Aapka Bahut khayal rakhte they, Fir Zuber bhi inteqal Kar gaye to Aapki nigrani Aapke Chacha Abu Taalib hi Karte rahe ,
★_ Unhe ne bhi Nabi Kareem ﷺ SE Bahut Muhabbat thi ,Jab Unhone Aapki Barkaat dekhi , Mo'jze dekhe to unki Muhabbat me aur izafa ho gaya ,Ye Maali aitbaar se Kamzor they ,Do Waqt saare gharane ko pet Bhar Kabhi Khana nahi milta tha , Lekin Jab Nabi Kareem ﷺ unke saath Khana khate to thoda Khana bhi un Sabke liye kaafi ho jata ,Sabke pet bhar jate ,Isliye jab Dopahar ya Raat ke khane Ka Waqt hota to sab dastarkhwan per beth te to Abu Taalib unse Kehte - Abhi Khana shuru na karo ,Mera Beta aa Jaye fir shuru Karna ,
★_ Fir Aap ﷺ Tashreef le aate aur unke Saath Beth jate ,Aapki Barkat is Tarah Zaahir Hoti k Sabke Sayr hone ke baad bhi Khana bach jata ,Agar Doodh hota to Pehle Nabi Kareem ﷺ ko pine ke liye diya jata ,Fir Abu Taalib ke bete Pite , Yaha'n tak k Ek hi Pyaale SE sabke sab Doodh pi Lete ,Khoob Sayr ho jate aur Doodh fir bhi bach jata ,Abu Taalib ke liye ek Takiya rakha rehta tha ,Wo usse Tek laga Kar beth te they , Rasulullah ﷺ Tashreef late to aa Kar sidhe us takiye ke Saath Beth jate ,Ye dekh kar Abu Taalib Kehte :- Mere Bete ko Apne Buland martabe Ka ahsaas hai ,
★_ Ek Baar Makka me Qahat pad gaya , Baarish bilkul na hui ,Log Ek doosre SE Kehte they Laat aur Uzya SE Baarish ki Dua Karo ,Kuchh Kehte they teesre bade but Manaat per Bharosa Karo ,Usi Dauraan Ek Boodhe ne Kaha -
Tum Haq aur Sachchayi SE bhaag rahe ho ,Tumme Ibrahim Alaihissalam aur Ismail Alaihissalam ki Nishani mojood hai ,Tum use Chhod Kar galat Raaste per kyu ja rahe ho ,
Is per logo ne usse Kaha - Kya Aapki muraad Abu Taalib se hai ?
Haa'n Mai'n Yahi kehna Chahta Hu'n ,
Ab sab log Abu Taalib ke Ghar ki taraf chale , Waha'n pahunch Kar Unhone Darwaze per dastak di To Ek Khoobsurt Aadmi bahar Aaya , Usne tehband lapet rakha tha ,Sab log uski taraf badhe aur bole - Ey Abu Taalib ,Waadi me Qahat pada hai, Bachche bhooke mar rahe Hai'n , isliye Aa'o aur Hamare Liye Baarish ki Dua Karo ,
★_ Chunache Abu Taalib bahar Aaye ,Unke Saath Rasulullah ﷺ bhi they, Aap ese lag rahe they Jese Andhere me Suraj Nikal Aaya ho ,Abu Taalib ke Saath aur bhi Bachche they Lekin unhone Aap hi Ka baazu pakda hua tha , Iske baad Abu Taalib ne unki ungli Pakad Kar Kaabe Ka tawaaf Kiya ,Ye Tawaaf Kar rahe they aur doosre log Aasman ki taraf Nazar utha utha Kar dekh rahe they , Jaha'n Baadal Ka Ek tukda bhi nahi tha Lekin fir Achanak har taraf se Baadal ghir ghir Kar Aane lage ,is qadar zordaar Baarish hui k Shehar aur Jungle Sairaab ho gaye ,
★__ Abu Taalib ek Baar Zil Hijaaz ke Mele me gaye ,Ye Jagah Arafaat SE taqriban 8 kilometre door hai , Unke Saath Rasulullah ﷺ bhi they ,Ese me Abu Taalib ko Pyaas mehsoos hui , Unhone Aapse Kaha - Bhatije mujhe Pyaas lagi hai ,
Ye Baat Unhone isliye nahi ki thi k Aapke pass Pani tha ... Balki Apni becheni Zaahir Karne Ke liye Kahi thi , Chacha ki Baat sun Kar Aap foran Sawaari SE utar Aaye aur bole - Chacha Jaan Aapko Pyaas lagi hai ,
Unhone Kaha-haa'n Bhatije Pyaas lagi hai, Ye Sunte hi Aap ne Ek patthar per Apna Paanv maara ,
*📕_ Seeratun Nabi ﷺ_Qadam Ba Qadam ( Writer- Abdullah Farani ),,*
╨─────────────────────❥
*┱✿_Shaam Ka Safar-_,*
★_ Jo'nhi Aapne Patthar per Paanv maara ,Uske niche se Saaf aur Umda Pani foot nikla , Unhone esa Pani Pehle kabhi nahi piya tha, Khoob Sayr ho Kar piya , Fir Unhone puchha - Bhatije kya Aap sayr ho chuke Hai'n ?
Nabi Kareem ﷺ ne farmaya- Haa'n ,
Aapne us Jagah Apni Edi fir maari aur Wo Jagah dobara esi Khushk ho gayi Jese pehle thi ,
★_ Huzoor Nabi Kareem ﷺ Chand Saal Apne doosre Chacha Zuber bin Abdul Muttalib ke Saath bhi rahe they, Us zamane me Ek martaba Huzoor ﷺ Apne un Chacha ke Saath Ek Qafile me Yaman Tashreef le gaye , Raaste me Ek waadi SE guzar hua , Us Waadi me Ek Sarkash ount rehta tha , Guzarne walo Ka Raasta rok leta tha Magar Jo'nhi Usne Nabi Kareem ﷺ ko dekha to foran Beth gaya aur Zameen SE Apni chhaati ragadne laga ,Aap Apne ount se utar Kar us per sawaar ho gaye ,Ab wo ount Aapko le Kar Chala aur Waadi ke paar tak le gaya , Iske baad Aapne us ount ko Chhod diya ,
★__ Ye Qafila jab Safar SE waapas lauta to ek Esi waadi SE guzar hua Jo toofani Paani SE bhari hui thi, Pani moje maar raha tha, Ye dekh kar Aapne Qafile walo se farmaya- Mere Pichhe Pichhe Aao ,
Fir Aap itminan se Waadi me dakhil ho gaye ,Baqi log bhi Aapke Pichhe they, Allah Ta'ala ne Apni Qudrat se Pani Khushk Kar diya aur Aap Poore Qafile ko liye paar ho gaye ,
Qafila Makka pahuncha to logo ne ye Hairat naak waqi'aat Bayan kiye ,Log sun Kar bol uthe - Us Ladke ki to Shaan hi niraali hai _,"
★_ Ibne Hisham likhte Hai'n ,Banu Lahab Ka Ek Shakhs Bahut Bada Qiyafa Shanash tha Yani Logo'n ki shakl v Soorat dekh kar unke Halaat aur mustaqbil ke bare me andaza lagaya karta tha ,Makka aata to log Apne Bachcho ko Uske Paas late ,Wo Unhe Dekh dekh Kar unke bare me batata tha ,Ek Baar ye Aaya to Abu Taalib Aapko bhi Uske Paas le gaye aur us Waqt Aap abhi nav Umar ladke hi they , Qiyafa Shanash ne Aapko ek Nazar Dekh ,fir doosre Bachcho ko dekhne laga ,Faarig hone ke baad Usne Kaha - us ladke ko mere paas la'o ,
★_ Abu Taalib ne ye Baat mehsoos Kar li thi k Qiyafa Shanash ne unke Bhatije ko Ajeeb nazro se dekha hai Lihaza wo Aapko le Kar waha'n SE Nikal Aaye they , Jab Qiyafa Shanash ko Maloom hua k Aap waha'n mojood nahi Hai'n to Woh cheekhne laga :- Tumhara Bura ho ,Us ladke ko mere paas la'o Jise Maine abhi dekha hai , Allah ki qasam wo badi Shaan wala hai ,"
Abu Taalib ne nikalte hue Uske ye Alfaz sun liye they ,
★_ Abu Taalib ne Tijarat ki garz se Shaam Jane Ka irada Kiya ,Nabi Kareem ﷺ ne bhi Saath Jane Ka shok Zaahir farmaya ,baaz Rivayaat me Aaya hai k Aapne Jane ke liye khaas tor per farma'ish ki , Abu Taalib ne Aapka Shok dekh Kar Kaha :-
"_Allah ki qasam Mai'n ise Saath Zaroor le jaunga ,na ye Kabhi mujhse juda ho Sakta Hai na Mai'n ise Kabhi Apne Se juda Kar Sakta Hu'n _,"
Ek rivayat me Yu'n Aaya hai ,Aapne Abu Taalib ki ountni ki lagaam Pakad li aur farmaya:- "_ Chacha Jaan Aap mujhe kiske paas chhode ja rahe Hai'n ? Meri na Maa'n hai na Baap _",
★_ Us Waqt Aapki Umar Mubarak 9 Saal thi ,Aakhir Abu Taalib Aapko Saath le Kar rawana hue ,Aapko Apni ountni per bithaya ,Raaste me Iysaiyo'n ki ek ibaadatgaah ke paas thehre ,Khanqah ke Raahib ne Nabi Kareem ﷺ ko dekha to cho'nk utha ,Usne Abu Taalib se Puchha :- Ye ladka kaun hai ?
Unhone Jawab diya- Ye Mera Beta hai ,
Ye sun Kar Raahib ne Kaha- Ye Tumhara beta nahi ho Sakta,
Ye sun Kar Abu Taalib Bahut Hairaan hue,bole - Kya matlaba ... Ye kyu Mera Beta nahi ho Sakta bhala ?
Usne Kaha - Ye mumkin hi nahi k is ladke Ka Baap zinda ho ,Yeh Nabi hai _,
★__ Matlab ye tha k unme Jo nishaniya'n Hai'n Wo Duniya ke Aakhri Nabi ki Hai'n aur unki ek Alaamat ye Hai k Wo Yateem honge ,Unke Baap Ka inteqal usi zamane me ho Jayega Jabki wo abhi paida hone wale honge , Is Ladke me Aane Wale Nabi ki Tamaam Alamaat mojood Hai'n ,Unki ek Nishani ye Hai k Bachpan me unki Walda Ka bhi inteqal ho Jayega _,
★__ Abu Taalib ne us Raahib SE puchha- Nabi kya hota hai ?
Raahib ne Kaha- Nabi Wo hota hai Jiske paas Aasman SE khabre aati Hai'n aur fir wo Zameen walo ko unki ittela deta hai .... Tum Yahoodiyo'n SE is Ladke ki Hifazat Karna _,"*
★__ Iske baad Abu Taalib Waha'n se aage rawana hue, Raaste me Ek aur Raahib ke paas thehre ,Ye bhi Ek Khanqah Ka Aabid tha ,Uski Nazar bhi Nabi Kareem ﷺ per padi to Yahi puchha - Ye ladka Tumhara kya Lagta hai ?
Abu Taalib ne usse bhi Yahi Kaha - Ye Mera Beta hai,
Raahib ye sun Kar Bola - Ye Tumhara beta nahi ho Sakta, iska Baap zinda ho hi nahi Sakta ,
Abu Taalib ne Puchha - Wo kyu ?
Raahib ne Jawab me Kaha- isliye k iska Chehra Nabi Ka Chehra hai ,Iski Aankhe'n Ek Nabi ki Aankhe'n Hai'n Yani Us Nabi jesi Jo Aakhri Ummat ke liye bheje Jane wale Hai'n, Unki Alamaat Purani Aasmani Kitaabo me mojood Hai'n ,
★_Iske baad Ye Qafila rawana ho Kar Basra pahuncha, Yaha'n Bahira Naam Ka Ek Raahib Apni Khanqah me rehta tha , Uska Asal Naam Jarzeesh tha ,Bahira uaka laqab tha ,Wo Bahut Zabardast Aalim tha ,
Hazrat Iysaa Alaihissalam Ke zamane SE Us Khanqah Ka Raahib nasal dar nasal ye Aalim Faazil khandaan hi Chala aa raha tha,Is Tarah us zamane me unka Sabse bada Aalim Bahira hi tha ,
★_ Quresh Ke log aksar Bahira ke paas se guzra Karte they Magar Usne Kabhi inse koi Baat nahi ki thi Magar is Baar Usne Qafile me Aap ﷺ ko dekh liya to Poore Qafile ke liye Khana Taiyaar karwaya ,
Bahira ne ye manzar bhi dekha k Nabi Kareem ﷺ per ek Badli Saaya kiye hue thi ,Jab ye Qafila ek darakht ke niche aa Kar thehra to Usne Badli ki taraf dekha ,Wo ab us darakht per Saaya daal rahi thi aur darakht ki Shaakhe'n us taraf jhuk gayi thi jidhar Nabi Kareem ﷺ mojood they ,Usne dekha Bahut si Shaakho ne Aapke Ouper jamghata sa Kar liya tha ,
Asal me hua ye tha k Jab Nabi Kareem ﷺ us darakht ke paas pahunche To Qafile ke log Pehle Saayadaar Jagah per qabza Kar chuke they,Ab Aapke liye Koi Saayadaar Jagah nahi bachi thi , Chunache Aap jab dhoop me bethe to Shaakho ne Apna rukh tabdeel Kar liya aur Aapke Ouper Jama ho gayi , Is Tarah Aap Mukammal tor per Saaye me ho gaye ,Bahira ne ye manzar saaf dekha tha ,Aapki ye Nishani Dekh Kar Usne Qafile walo ko paigaaam bhijwaya :-
"__ Ey Qureshiyo Maine Aap logo ke liye Khana Taiyaar karwaya hai ,meri khwahish hai k Aap Tamaam log Khana khane Aaye Yani Bachche Budhe aur Gulaam sab Aaye _,"
Bahira Ka ye paigaaam sun Kar Qafile me SE ek ne Kaha :- Ey Bahira , Aaj to Aap Naya Kaam Kar rahe Hai'n ,Hum to Aksar is Raaste SE guzarte Hai'n ,Aapne kabhi dawat Ka intezam nahi Kiya ,Fir Aaj kya Baat hai ?
Bahira ne Unhe Sirf itna Jawab diya :- Tumne Theek Kaha Lekin bas Aap log mehmaan Hai'n aur mehmaan Ka ikraam Karna Bahut achchhi Baat hai _,"
★__ Is Tarah Tamaam log Bahira ke paas pahunch gaye ... Lekin Allah Ke Rasool ﷺ unke saath nahi they ,Unhe Padaav hi me Chhod diya gaya tha ,
★__ Aapko Qafile ke Saath isliye nahi le Jaya gaya tha k Aap kam Umar they ,Aap wahi'n darakht ke niche beth gaye ,Idhar Bahira ne logo ko dekha aur unme SE Kisi me use wo sifat Nazar na aayi Jo Aakhri Nabi ke bare me use Maloom thi , na unme SE Kisi per Wo Badli Nazar aayi balki Usne Ajeeb baat dekhi k wo Badli wahi'n Padaav ki Jagah per hi reh gayi thi , Iska saaf matlab ye tha Badli wahi'n hai Jaha'n Allah Ke Rasool Hai'n, Tab Usne Kaha :-
Ey Quresh Ke logo ! Meri Dawat SE Aapme SE koi bhi Pichhe nahi rehna Chahiye ,
Is per Quresh ne Kaha - Ey Bahira ! Jin logo ko Aapki is Dawat me Lana zaroori tha Unme se to koi raha nahi ... Haa'n ek ladka reh gaya hai Jo Sabse kam Umar hai ,
Bahira Bola - Tab fir Meharbani farma Kar use bhi bula le Ye kis qadar buri baat hai k Aap sab Aaye aur Aapme SE ek reh Jaye aur Maine use Aap logo ke Saath dekha tha _,"
★__ Tab ek Shakhs gaya aur Aapko Saath le Kar Bahira ki taraf rawana hua ,Us Waqt wo Badli Aapke Saath Saath Chali aur Tamaam Raaste Usne Aap per Saaya kiye rakha , Bahira ne ye manzar saaf dekha ,Wo ab Aapko aur zyada gor se dekh raha tha aur Aapke Jism Mubarak me Wo Alaamat Talash Kar raha tha Jo unki Kutub me darj thi ,
★__ Jab Log Khana kha chuke aur idhar udhar ho gaye tab Bahira Aapke pass Aaya aur bola :- Mai'n Laat aur Uzya ke Naam per Aapse Chand baate puchhna Chahta Hu'n,Jo Mai'n puchhu Aap mujhe bataiye _,"
Uski Baat sun Kar Aapne farmaya :- Laat aur Uzya ( Buto ke Naam ) ke Naam per mujhse Kuchh na puchho ,Allah ki qasam ! Mujhe sa SE zyada nafrat inhi se hai _,"
Ab Bahira Bola - Achchha to fir Allah Ke Naam per bataiye Jo Mai'n puchhna Chahta Hu'n ",
To Aapne farmaya- Puchho kya puchhna hai ,"
Usne Bahut SE sawalaat kiye ,Aapki Aadaat ke bare me puchha , iske baad Usne Aapki kamar per Kapda hata Kar Mohre Nabuwat ko dekha ,Wo bilkul wesi hi thi jesa k Usne Apni Kitaabo me padha tha ,Usne foran Mohre Nabuwat ko bosa diya ,Quresh Ke log ye sab dekh rahe they aur Hairaan ho rahe they , Aakhir log kahe bager na reh sake _,"
Ye Raahib Muhammad ( ﷺ ) me bahut dilchaspi le raha Hai ... Shayad Uske Nazdeek inka martaba Buland hai _,"
★_ idhar Nabi Kareem ﷺ SE Baat cheet Karne Ke baad Bahira Abu Taalib ki taraf Aaya aur bola- Ye ladka Tumhara kya Lagta hai ?
Abu Taalib ne Kaha - Ye Mera Beta hai ,
Is per Bahira ne Kaha- Nahi ye Tumhara beta nahi ho Sakta, Ye nahi ho Sakta k iska Baap zinda ho ,
Abu Taalib ko ye sun Kar Hairat hui ,Fir Unhone Kaha - dar asal ye mere Bhai Ka beta hai ,
Inka Baap Kaha hai ?
Wo faut ho chuka hai ,uska inteqal us Waqt ho gaya tha jab ye abhi paida nahi hue they ,
Ye sun Kar Bahira bol utha - Haa'n ye Baat Sahi hai aur inki walda Ka kya hua ?
Inka abhi thode arsa hi Pehle inteqal hua hai ,
★__ Ye Sunte hi Bahira ne Kaha - bilkul Theek Kaha ..... Ab tum Yu'n Karo k Apne Bhatije ko waapas watam le Ja'o, Yahoodiyo'n SE inki Poori Tarah Hifazat Karo,Agar Unhone inhe dekh liya aur inme Wo nishaniya'n dekh li Jo Maine dekhi Hai'n to Wo inhe qatl Karne ki Koshish karenge , Tumhara ye Bhatija Nabi hai , Iski Bahut Shaan hai , inki Shaan ke bare me hum Apni Kitaabo me bhi Likha hua pate Hai'n aur Humne Apne Baap Daada'o se bhi Bahut Kuchh sun rakha hai ,Maine ye Nasihat Kar Ke apna farz Poora Kar diya hai aur inhe waapas le Jana Tumhari zimmedari hai _,"
★__ Abu Taalib Bahira ki baate sun Kar khofzada ho gaye, Aapko le Kar Makka waapas aa gaye ,Us Waqi'e ke Waqt Aapki Umar 9 Saal thi ,
★__ Is Umar ke ladke aam tor per khail kood me Zaroor hissa Lete Hai'n, Un khailo me kharab aur gande khail bhi Hote Hai'n ,Allah Ta'ala ne Aapko is Silsile me bhi bilkul mehfooz rakha ,
★__ Jahiliyat ke zamane me Arab Jin Buraiyo'n me jakde hue they un Buraiyo'n se bhi Allah Ta'ala ne Aapki Hifazat farmayi, Ek Waqia Aapne khud Bayan farmaya :-
"__ Ek Qureshi ladka Makka ke baalayi hisse me Apni Bakriya'n liye mere Saath tha ,Maine usse Kaha - Tum Zara Meri Bakriyo'n Ka dhyan rakho Taki Mai'n qissa goi ki Majlis me Shareek ho saku'n waha'n sab ladke jate Hai'n _,"
Us ladke ne Kaha - Achchha ,
Iske baad Mai'n rawana hua , Mai'n Makka ke ek Makaan me dakhil hua to mujhe gaane aur baaje ki Awaaz sunayi di , Maine logo se Puchha - Ye kya ho raha Hai ? Mujhe bataya gaya k ek Qureshi ki fala Shakhs ki beti SE Shadi ho rahi hai, Maine us taraf tavajjoh di hi thi k Meri Aankhe'n neend se jhukne lagi , Yaha'n tak k Mai'n so gaya ,Fir Meri us Waqt khuli jab dhoop mujh per padi _,"
★__ Aap waapas us ladke ke paas pahunche to Usne puchha- Tumne waha'n ja Kar kya Kiya ? Maine use Waqia Suna diya ,Doosri Raat fir esa hi hua , Matlab ye k Quresh ki lagu majliso se Allah Ta'ala ne Aapko mehfooz rakha _,
★__ Quresh ke ek But Ka Naam Hawana tha ,Quresh har Saal Uske Paas haazri diya Karte they, Uski behad izzat Karte they, Uske Paas Qurbani Ka Jaanwar zibah Karte ,Sar mundwate ,Saara din Uske Paas Aitkaaf Karte , Abu Taalib bhi Apni Qaum ke Saath us But ke paas haazri dete ,Is moqe ko Quresh Eid ki Tarah manante they ,Abu Taalib ne Nabi Kareem ﷺ SE Kaha - Bhatije ! Aap bhi mere Saath Eid me Shareek Ho'n ,
Aapne inkaar farma diya , Abu Taalib har Saal Aapko sharek hone ke liye Kehte rahe Lekin Aap har Baar inkaar hi Karte rahe, Aakhir Ek Baar Abu Taalib ko gussa Aaya ,Wo Aapse bole - Tum Hamare Ma'aboodo se is Tarah bachte ho aur Parhez Karte ho ,Hume dar hai k tumhe koi nuqsaan na pahunche _,"
Unhone ye bhi Kaha - Muhammad ! Aakhir tum Eid me kyu Shareek nahi Hote ?
Unki baato se tang aa Kar Aap unke paas se uth Kar Kahi'n door chale gaye,is bare Aap farmate hai'n :-
"_ Mai'n Jab bhi Hawana ya Kisi aur But ke Nazdeek hua ,Mere Saamne ek Safaid rang Ka Bahut qadaawar Aadmi Zaahir hua ,Usne har Baar mujhse Yaha Kaha - Muhammad ! Pichhe hato ,usko chhoona nahi _",
╨─────────────────────❥
*┱✿_Fujaar Ki Ladayi -_,*
★__ Khana Kaaba me taambe ke do but they ,unke naam Asaaf aur Naa'ela they , Tawaaf Karte Waqt mushrik barkat haasil Karne Ke liye unko chhuwa Karte they ,
Hazrat Zaid bin Haarisa Raziyllahu anhu farmate Hai'n Ek martaba Aap ﷺ Baitullah Ka tawaaf Kar rahe they, Mai'n bhi Aapke Saath tha ,Jab Mai'n tawaaf ke Dauraan un Buto ke paas se guzra to Maine bhi unko chhuwa ,Nabi Paak ﷺ ne foran farmaya- unko Haath mat lagao,
★__ Iske baad hum tawaaf Karte rahe ,Maine socha Ek baar fir Buto ko chhoone ki Koshish karu'nga Taki pata to chale unko chhoone se kya hota hai aur Aapne kis liye mujhe roka hai , Chunache Maine unko fir chhoo liya ,tab Aapne sakht lehje me farmaya - Kya Maine tumhe unko chhoone se mana nahi Kiya tha _,"
Aur Mai'n qasam kha Kar Kehta Hu'n, Nabi Paak ﷺ ne Kabhi bhi Kisi but ko nahi chhuwa , Yaha'n tak k Allah ne Aapko Nabuwat ata farma di aur Aap per wahi Naazil hone lagi ,
★__ Isi Tarah Allah Ta'ala Haraam Cheezo se bhi Aapki Hifazat farmate they , Mushrik Buto ke Naam per Jaanwar qurban Karte they ,Fir ye gosht taqseem Kar diya jata tha ya paka Kar khila diya jata tha , Lekin Aapne Kabhi bhi esa gosht na Khaya ,Khud Aapne ek Baar irshad farmaya :-
Maine Kabhi koi esi cheez nahi chakhi Jo Buto ke Naam per zibah ki gayi ho , Yaha'n tak k Allah Ta'ala ne mujhe Nabuwat ata Kar di _",
★_ isi Tarah Aapse puchha gaya - Kya Aapne Bachpan me Kabhi But parasti ki ?
Aapne irshad farmaya- Nahi ,
Aapse fir puchha gaya- Aapne Kabhi Sharaab pi ?
Jawab me irshad farmaya- nahi !
Halanki us Waqt mujhe Maloom nahi tha k Kitaabullah kya hai aur imaan ( ki tafseel ) kya hai ,
Aap ﷺ ke alawa bhi us zamane me Kuchh log they Jo Jaanwaro ke naam zibah Kiya gaya gosht Nahi khate they aur Sharaab ko Haath Nahi lagate they ,
★__ Bachpan me Aap ﷺ ne Bakriya'n bhi charayi ,Aap Makka ke logo ki Bakriya'n charaya Karte they, muawze ke tor per Aapko ek sikka diya jata tha, Aap farmate hai'n :- Allah Ta'ala ne jitne Nabi bheje un sabne Bakriya'n charane Ka Kaam Kiya , Mai'n Makka walo ki Bakriya'n Sikke ke badle charaya karta tha,
Makka walo ki Bakriyo'n ke Saath Aap Apne Ghar walo aur Rishtedaro ki Bakriya'n bhi charaya Karte they, Paigambaro ne Bakriya'n kyu charayi iski wazahat Yu'n Bayan ki Jati Hai ,
★_ Is Kaam me Allah Ta'ala ki Zabardast hikmat hai , Bakri Kamzor Jaanwar hai , Lihaza Jo Shakhs Bakriya'n charata hai usme qudrati tor per narmi , Muhabbat aur inksaari Ka jzaba paida ho jata hai ,Har kasm aur Paishe ki Kuchh khususiyaat Hoti Hai'n ,Maslan Qasaab ke Dil me sakhti Hoti Hai,Lohar jafakash hota hai,Maali nazuk tabiyat hota hai ,
"_Ab Jo Shakhs Bakriya'n charata raha to uski tabiyat me se garmi aur sakhti nikal chuki Hoti Hai, Makhlooq ki Tarbiyat ke liye wo Bahut naram Mizaaj ho chuka hota hai aur Tablig ke Kaam me naram Mizaaji ki Bahut zarurat hoti hai ,
★__ Arbo'n me Ek Shakhs Badar bin Ma'shar Gafari tha , Ye Ukaaz Ke mele me betha karta tha,Logo ke Saamne Apni bahaduri ke qisse sunaya karta tha,Apni Bada'iya'n Bayan karta tha,Ek din usne payr faila Kar aur gardan akda Kar Kaha :- Mai'n Arbo'n me Sabse zyada izzatdaar Hu'n aur agar koi khayal karta Hai k Wo zyada izzat wala hai to Talwaar ke zor per ye Baat Saabit Kar dikhaye -,"
★__ Uske ye Bade bol Sun Kar ek Shakhs ko gussa aa gaya ,Wo Achanak us per jhapta aur Uske ghutne per Talwaar de maari ,Uska ghutna kat gaya ,Ye bhi Kaha jata hai k ghutna Sirf zakhmi hua tha, Is per Dono ke Qabile aapas me lad pade ,Unme Jung shuru ho gayi. Is Ladayi ko Fujaar ki Pehli Ladayi Kaha jata hai, Us Waqt Aap ﷺ ki Umar 10 Saal thi ,
★__ Fujaar ki ek aur Ladayi Banu Aamir ki ek Aurat ki vajah se hui , Usme Banu Aamir Banu Kanana SE lade , Kyunki Kanana ke Ek Nojawan ne us Qabile ki Kisi Aurat ki chheda tha , Fujaar ki teesri Ladayi bhi Banu Aamir aur Banu Kanana ke darmiyaan hui ,Ye Ladayi qarz ki adaaygi ke Silsile me hui ,
★__ Fujaar ki in teeno ladaiyo me Nabi ﷺ koi hissa nahi liya ,Albatta Fujaar ki Chothi Ladayi me Aapne shirkat farmayi thi ,Arbo ke Yaha'n chaar mahine ese they k unme Kisi Ka Khoon bahana jaa'iz nahi tha ,Ye Mahine ZilQa'ada ,Zilhijja, Muharram aur Rajjab they , Ye ladaiya'n chunki hurmat ke in mahino me hui isliye inka Naam Fujaar ki Ladaiya'n rakha gaya, Fujaar Ka ma'ane hai Gunaah ,Yani ye Ladaiya'n unka Gunaah tha ,
★_ Chothi Ladayi Jisme Nabi Kareem ﷺ ne bhi hissa liya Uska Naam Fujaar Baraaz hai Ye Ladayi is Tarah shuru hui :- Qabila Banu Kanana ke Baraaz naami ek Shakhs ne ek Aadmi urwah ko qatl Kar diya, Urwah Ka talluq Qabila Hawazin SE tha Ye waqi'a hurmat wale mahine me pesh Aaya, Baraaz aur Urwah ke khandaan ke log Yani Banu Kanana aur Banu Hawazin us Waqt Ukaaz Ke mele me they Wahi'n Kisi ne Banu Kanana ko ye khabar pahuncha di k Baraaz ne Urwah ko qatl Kar diya hai , Ye khabar sun Kar Banu Kanana ke log Pareshan hue k Kahi'n mele hi me Hawazin ke log un per hamla na Kar de, is Tarah Baat Bahut bad jayegi Chunache Wo log Makka ki taraf bhaag nikle , Hawazin ko us Waqt tak khabar nahi hui thi, Unhe Kuchh din ya Kuchh Waqt guzarne per khabar hui, Ye Banu Kanana per chadh daude Lekin Banu Kanana Haram me panaah le chuke they,
★_ Arbo'n me Haram ke andar Khoon bahana Haraam tha, isliye Hawazin ruk gaye, Us din Ladayi na ho saki Lekin doosre Din Banu Kanana ke log khud hi muqable ke liye bahar nikal aaye, Unki madad Karne Ke liye Qabila Quresh bhi maidaan me Nikal Aaya, Is Tarah Fujaar ki ye Jung shuru hui, Ye Jung 4 ya 6 Din tak jaari rahi Ab chunki Quresh bhi is Jung me Shareek they Lihaza Aap ﷺ ke chacha Aapko bhi Saath le gaye Magar Aapne Jung ke sab Dino me Ladayi me hissa nahi liya Albatta jis Din Aap maidane Jung me pahunch jate to Banu Kanana ko fateh hone lagti aur Jab Aap waha'n na pahunchte to Unhe shikast hone lagti , Aapne us Jung me Sirf itna hissa liya k Apne Chachao'n ko Teer Pakdate rahe aur bas..,
★_ 6 Din ki Jung ke baad bhi koi Faisla na ho saka Aakhir dono Giroh me suleh ho gayi Lekin ye kaafi Khoon kharabe ke baad hui thi ,
★__ Us Jung ke foran baad Hulful Fazool Ka Waqia pesh Aaya, Ye waqi'a is Tarah hua k Qabila Zaid Ka Ek Shakhs apna Kuchh Maal le Kar Makka Aaya , Usse ye maal Aas bin Waa'il ne khareed liya Ye Aas bin Waa'il Makka ke bade logo me SE tha, Uski Bahut izzat thi, Usne Maal to le liya Lekin qeemat ada na ki, Zaidi usse Apni raqam Ka mutalba karta raha Lekin Aas bin Waa'il ne raqam ada na ki , Ab ye Zaidi Shakhs Apni faryaad le Kar Mukhtalif Qabilo ke paas gaya un sabko bataya k Aas bin Waa'il ne us per zulm Kiya hai Lihaza uski raqam dilwayi Jaye , Ab chunki Aas makka ke bade logo me SE tha Isliye un sab logo ne Aas ke khilaf uski madad Karne se inkaar Kar diya, Ulta use daant dapat Kar waapas bhej diya, Jab Zaidi ne un logo ki ye Haalat dekhi to doosre Din subeh sawere wo Abu Qais naami pahaadi per Chad gaya , Quresh abhi Apne gharo hi me they Ouper Chad Kar Usne Buland Awaaz SE Chand Shayr padhe jinka khulasa ye Hai :-
"_ Ey Fahar ki Aulaad ! Ek mazloom ki madad Karo ,Jo Apne watan se door hai aur Jiski Tamaam poonji is Waqt Makka ke andar hi hai _,"
★__ Us Zaidi Shakhs ki ye faryaad Aap ﷺ ke chacha Zuber bin Abdul Muttalib ne sun li ,Un per Bahut asar hua , Unhone Abdullah bin Jad'aan ko Saath liya aur us Aadmi ki madad ke liye uth khade hue ,Fir unke Saath Banu Hashim ,Banu Zohra aur Banu Asad ke log bhi shamil ho gaye, Ye sab Abdullah bin Jad'aan ke Ghar Jama hue, Yaha'n in sabko Khana khilaya gaya ,Uske baad un Sabse khuda ke Naam per Half liya gaya ,Half ke Alfaz ye they :-
"__ Hum Hamesha mazloom Ka Saath dete rahenge aur uska Haq use dilate rahenge ,Is Half Ka Naam Halful Fazool rakha gaya , Is Ahad aur Half ke moqe per Allah Ke Rasool ﷺ bhi Quresh ke Saath mojood they ,
*📕_ Seeratun Nabi ﷺ_Qadam Ba Qadam ( Writer- Abdullah Farani ),,*
╨─────────────────────❥
: 1_ Nastwaar Ki Mulaqaat
★__ Huzoor Akram ﷺ ne is Ahad Yani Halful Fazool ko Bahut Pasand farmaya , Aap farmate they :-
"_ Mai'n us Ahadnaame me Shareek tha ,Ye Ahadnaama Banu Jad'aan ke Makaan me hua tha ,Agar koi mujhse kahe k is Ahadnaame se dast bardaar ho Jaye'n aur iske badle me 100 ount le Le'n to Mai'n nahi Lunga ,Is Ahadnaame ke naam per agar koi Aaj bhi mujhe Awaaz de to Mai'n kahunga Mai'n Haazir Hu'n _,"
★__ Aapke is irshad Ka Matlab ye tha k Agar Aaj bhi koi mazloom ye keh Kar Awaaz de - Ey Halful Fazool walo ! To Mai'n uski fariyad ko Zaroor pahunchunga , Kyunki islam to Aaya hi isliye hai k Sachchayi Ka Naam Buland kare aur Mazloom ki madad aur himayat kare , Ye Halful Fazool baad me bhi jaari raha,
★__ Makka me Aapki Amanat aur dayanat ki vajah se Aapko Ameen keh Kar pukara Jane laga tha , Aapka ye laqab Bahut Mash'hoor ho gaya tha ,Log Aapko Ameen ke alawa aur Kisi Naam se nahi pukarte they ,
Unhi Dino Abu Taalib ne Aapse Kaha :-
"_ Ey Bhatije ! Mai'n Ek Bahut gareeb aadmi Hu'n aur Qahat Saali ki vajah se aur zyada sakht Halaat Ka saamna hai ,Kaafi arse se Khushk Saali Ka daur chal raha Hai, Koi esa zariya nahi k Apna Kaam Chala sake'n aur na Hamari koi Tijarat hai , Ek Tijarati Qafila Shaam Jane wala Hai ,Usme Quresh ke log shamil Hai'n ,Quresh ki ek Khatoon Khadiza bint Khuweld Shaam ki taraf apna Tijarati Samaan bheja Karti hai ,
Jo Shakhs unka Maal le Kar jata hai Wo Apni ujrat unse Tay Kar leta hai ,Ab agar tum unke paas jao aur unka Maal le Jane ki pesh kash Karo to Wo Zaroor apna Maal tumhe de dengi , Kyunki Tumhari Amanatdaari ki Shohrat un tak pahunch chuki hai, Agarche Mai'n is Baat ko Pasand nahi karta k tum Shaam ke Safar per Ja'o , Yahoodi Tumhare Dushman Hai'n Lekin Halaat ki vajah se Mai'n majboor Hu'n ,Iske alawa koi chara bhi to nahi _,"
[15/09, 6:39 am] Papa: ★__ Yaha'n tak keh Kar Abu Taalib Khamosh ho gaye ,Tab Aap ﷺ ne farmaya :- Mumkin hai Wo Khatoon khud mere paas Kisi Ko bheje _,"
Khadija Raziyllahu anha ko ek Ba-aitmaad Aadmi ki zarurat thi aur us Waqt Makka me Aapse zyada Shareef Paakbaaz Amanatdaar samajhdaar aur Qabile Aitmaad Aadmi koi nahi tha ,
★__ Abu Taalib us Waqt Bahut pareshan they, Aapki ye Baat sun Kar Unhone Kaha - Agar tum na gaye to mujhe dar hai Wo Kisi aur se maamla tay Kar lengi _"
Ye keh Kar Abu Taalib uth gaye ,
★_ Idhar Aapko yaqeen sa tha k Sayyada Khadija Raziyllahu anha khud unki taraf Kisi ko bhejengi aur hua bhi Yahi , Sayyada Khadija Raziyllahu anha ne Allah Ke Rasool ﷺ ko bula bheja ,Fir Aapse Kaha -
"_ Mai'ne Aapki Sachchayi, Amanatdaari aur Nek Akhlaaq ke bare me Suna hai aur isi vajah se Maine Aapko bulwaya hai ,Jo muawza Aapki Qaum ke doosre Aadmiyo'n ko deti Hu'n Aapko unse doguna dungi _,"
★__ Aapne unki Baat manzoor farma li ,Fir Aap Apne Chacha se mile Unhe ye Baat batayi ,Abu Taalib sun Kar bole - Ye Rozi Tumhare liye Allah ne Paida farmayi Hai _,"
Iske baad Aap Sayyada Khadija Raziyllahu anha Ka Samaane Tijarat le Kar Shaam ki taraf rawana hue , Sayyada Khadija Raz. Ke Gulaam Maysrah Aap ﷺ ke Saath they , Rawangi ke Waqt Hazrat Khadija Raz.ne Maysrah se Kaha :- Kisi maamle me inki nafarmani na Karna ,Jo ye kahe'n wohi Karna ,inki Raay SE ikhtilaf na Karna _,"
[★:
Chachao'n ne Qafile walo se Aapki khabargiri rakhne ki darkhwast ki ,Iski vajah ye bhi thi k zimmedari ke lihaz se ye Aap ﷺ Ka pehla Tijarati Safar tha ,Goya Aap ﷺ is Kaam me bilkul naye they ,
★_ Idhar Aap rawana hue udhar Aap ﷺ Ka Mo'jza shuru ho gaya ,Ek Badli ne Aap ﷺ ke Ouper saaya Kar liya ,Aap ﷺ ke Saath Saath Chalne lagi ,Jab Aapﷺ Shaam pahunche to Basra Shehar ke Bazaar me Ek darakht ke saaye me utre , Ye darakht ek Ek Iysai Raahib Nastwaar ki Khanqah ke Saamne tha ,Us Raahib ne Maysrah ko Dekha to Khanqah SE Nikal Aaya ,Us Waqt Usne Aap ﷺ ko dekha ,Aap ﷺ darakht ke niche thehre hue they,Usne Maysrah SE Puchha :- Ye Shakhs kon hai Jo us darakht ke niche mojood hai ?
Maysrah ne Kaha - Ye ek Qureshi Shakhs hai ,Haram walo me se hai ,
Ye sun Kar Raahib ne Kaha - Us darakht ke niche Nabi ke Siva Kabhi koi Aadmi nahi betha _,"
★_ Matlab ye tha k us darakht ke niche Aaj tak koi Shakhs nahi betha ,Allah Ta'ala ne us darakht ko Hamesha isse bachaya hai k Uske niche Nabi ke Siva koi doosra Shakhs bethe,
Iske baad Usne Maysrah SE Puchha - Kya inki Aankho'n me surkhi hai ?
Maysrah ne Jawab diya- Haa'n bilkul hai aur ye surkhi unki Aankho'n me mustaqil rehti hai _,"
Ab Nastwaar ne Kaha - Ye Wohi Hai'n _,"
Maysrah ne Hairaan ho Kar uski taraf dekha aur bole - Kya Matlab..ye Wohi Hai'n ...kon Wohi ?
Ye Aakhri Paigambar Hai'n,Kaash Mai'n wo zamana pa Sakta jab inhe Zahoor Ka Hukm milega Yani jab inhe Nabuwat milegi _,"
★__ iske baad wo chupke SE Aap ﷺ ke paas pahuncha , Pehle to Usne Aap ﷺ ke Sar ko bosa diya fir Aap ﷺ ke qadmo ko bosa diya aur bola- Mai'n Aap ﷺ per imaan Lata Hu'n aur gawahi deta Hu'n k Aap ﷺ Wohi Hai'n Jinka Zikr Allah Ta'ala ne Toraat me farmaya hai _,"
★_ Iske baad Nastwaar ne Kaha- Ey Muhammad ﷺ Maine Aap ﷺ me wo Tamaam nishaniya'n dekh li Hai'n Jo Purani Kitaabo me Aap ﷺ ki Nabuwat ki Alaamato ke tor per darj Hai'n, Sirf Ek Nishani baqi hai isliye Aap ﷺ Zara Apne Kandhe se Kapda hata'iye _,"
Aap ﷺ ne Apne Shana Mubarak SE Kapda hata diya Tab Nastwaar ne waha'n mohar Nabuwat ko jagmagate dekha ,Wo foran mohar Nabuwat ko choomne ke liye jhuk gaya, Fir Bola :-
"_. Mai'n Gawahi deta Hu'n k Allah Ta'ala ke Siva koi ibaadat ke laa'iq nahi aur Mai'n Gawahi deta Hu'n k Aap ﷺ Allah Ta'ala ke Paigambar Hai'n, Aap ﷺ ke bare me Hazrat Iysaa Alaihissalam ibne Mariyam Alaihissalam ne Khush Khabri di thi aur Unhone Kaha tha - mere baad is darakht ke niche koi nahi bethega , Sivaye us Paigambar ke Jo Ummi ( Yani anpadh ) Haashmi , Arbi aur Makki ( Yani Makka ke rehne wale ) honge , Qayamat me Hoze Kausar aur Shafa'at wale honge _,"
★_ Is Waqi'e ke baad Aap ﷺ Basra ke Bazaar Tashreef le gaye, Waha'n Aap ﷺ ne Maal farokht Kiya Jo Saath laye they aur Kuchh cheeze kharidi , Is Khareed v farokht ke Dauraan Ek Shakhs ne Aap ﷺ se Kuchh jhagda Kiya aur Bola :-
"_ Laat aur Uzya ki qasam Khao _,"
Aap ﷺ ne farmaya:- Maine in Buto ke Naam per Kabhi qasam nahi khayi _,"
Aap ﷺ ka ye jumla sun Kar wo Shakhs cho'nk utha ,
:
╨─────────────────────❥
⚀: Hazrat Khadija Raziyllahu Anha se Nikaah
★_ Shayad Wo Guzishta Aasmani Kitaab Ka koi Aalim tha aur Usne Aapko pehchan liya tha , Chunache Bola :- Aap Theek Kehte Hai'n ,
Iske baad Usne Maysrah SE Alaihdgi me Mulaqaat ki ,Kehne laga :-
"_ Maysrah ! Ye Nabi Hai'n ,Qasam hai us zaat ki Jiske Haath me Meri Jaan hai ye wahi Hai jinka Zikr Hamare Raahib Apni Kitaabo me paate Hai'n _,"
★_ Maysrah ne uski baat ko zahan nasheen Kar liya , Raaste me Ek aur Waqia pesh Aaya, Sayyada Khadija Raziyllahu anha ke Do ounnt Bahut zyada thak gaye they aur Chalne ke Qabil na rahe ,Unki vajah se Maysrah Qafile ke Pichhe reh gaya ,Nabi Kareem ﷺ Qafile ke agle hisse me they , Maysrah un Ounto'n ki vajah se pareshan hua to daudta hua Agle hisse ki taraf Aaya aur Apni Pareshani Ke bare me Aapko bataya , Aap Uske Saath un dono Ounto'n ke paas Tashreef laye ,Unki Kamar aur Pichhle hisse per Haath faira , Kuchh padh Kar dam Kiya ,Aapka esa Karna tha k ount usi Waqt theek ho gaye aur is qadar tez chale k Qafile ke agle hisse me pahunch gaye ,Ab Wo moonh se awaaze nikaal rahe they aur chalne me Josh v kharosh Ka izhaar Kar rahe they ,
★_ Fir Qafile walo ne Apna Samaan farokht Kiya ,is Baar Unhe itna nafa hua k Pehle kabhi nahi hua tha, Chunache Maysrah ne Aapse Kaha :- Ey Muhammad ! Hum saalha Saal SE Sayyada Khadija ke liye Tijarat Kar rahe Hai'n Magar itna Zabardast nafa Hume Kabhi nahi hua Jitna is Baar hua hai _,"
★_ Aakhir Qafila waapas Makka ki taraf rawana hua, Maysrah ne is Dauraan saaf tor per ye Baat Dekhi k Jab garmi Ka Waqt hota tha aur Nabi Kareem ﷺ Apne ount per hote they to do Farishte dhoop SE bachane ke liye Aap per Saaya kiye rehte they , in Tamaam baato ki vajah se Maysrah ke Dil me Aapki Muhabbat Ghar Kar gayi aur Yu'n lagne laga Jese Wo Aapka Gulaam ho ,
★_ Aap ﷺ Dopahar ke Waqt Makka me dakhil hue Aap baqi Qafile SE Pehle pahunch gaye they , Aap sidhe Hazrat Khadija Raziyllahu Anha ke Ghar pahunche Wo us Waqt Chand Aurto'n ke Saath bethi thi Unhone door se Aapko dekh liya, Aap ount per sawaar they aur do Farishte Aap per Saaya kiye hue they , Hazrat Khadija Raziyllahu Anha ne ye manzar doosri Aurto'n ko bhi dikhaya Wo sab Bahut Hairaan hui ,
★__ Ab Aap ﷺ ne Hazrat Khadija Raziyllahu Anha ko Tijarat ke Halaat sunaye Munafe ke bare me bataya , is martaba Pehle ki nisbat doguna munafa hua tha , Hazrat Khadija Raziyllahu Anha Bahut Khush hui, Unhone puchha :- Maysrah Kaha'n hai ?
Aapne bataya:- Wo abhi Pichhe hai _,
Ye sun Kar Sayyada ne Kaha- Aap foran Uske Paas Jaye aur use jald az jald mere paas laye ,
★_ Aap waapas rawana hue, Hazrat Khadija Raziyllahu Anha ne dar asal Aapko isliye bheja tha k wo fir SE wohi manzar dekhna chahti thi, Jaanna chahti thi Kya ab bhi Farishte un per Saaya Karte Hai'n ya Nahi ,Ju'nhi Aap rawana hue Ye Apne Makaan ke Ouper Chad gayi aur waha'n Aapko dekhne lagi , Aapki shaan ab bhi Wohi Nazar aayi, Ab Unhe Yaqeen ho gaya k unki Aankho'n ne dhoka nahi Khaya tha ,Kuchh der baad Aap ﷺ Maysrah ke Saath unke paas pahunch gaye, Hazraat Khadija Raziyllahu Anha ne Maysrah SE Kaha - Maine un per Do Farishto ko saaya Karte hue dekha hai ,Kya Tumne bhi koi esa manzar dekha hai ,
Jawab me Maysrah ne Kaha- Mai'n to ye manzar us Waqt se dekh raha Hu'n Jab Qafila Yaha'n se Shaam Jane ke liye rawana hua tha _,"
★_ Uske baad Maysara ne Nastwaar SE Mulaqaat Ka haal sunaya ,Doosre Aadmi ne Jo Kaha tha Wo bhi bataya Jisne Laat aur Uzya ki qasam khane ke liye Kaha tha,Fir Ounto'n wala Waqia bataya ,Ye Tamaam baate sunne ke baad Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ne Aapko Tay Shuda ujrat se doguna ujrat di , Jabki Tay Shuda ujrat Pehle hi doosre logo ki nisbat doguna thi ,
In Tamaam baato SE Sayyada Khadija Raziyllahu Anha Bahut Hairaan hui ,Aap Apne chachazaad Bhai Warqa bin Nofal se Mili ,Ye pichhli Kitaabo ke Aalim they ,Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ne Unhe Jo Kuchh khud dekha aur Maysara ki Zubaani Suna tha ,Wo Sab keh sunaya , Warqa bin Nofal us Waqt iyasa'i mazhab se talluq rakhte they,isse Pehle Wo Yahoodi they , Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ki Tamaam baate sun Kar Warqa bin Nofal ne Kaha :-
"_ Khadija ! Agar ye baate sach Hai'n to samajh Lo , Muhammad is Ummat ke Nabi Hai'n, Mai'n ye Baat Jaan chuka Hu'n k wo is Ummat ke hone wale Nabi Hai'n, Duniya ko inhi Ka intezar tha ,Yahi inka zamana hai _,"
★_ Yaha'n ye Baat bhi waaze ho Jaye k Nabi Akram ﷺ ne Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ke liye Tijarati Safar sirf ek Baar hi Nahi Kiya chand Safar aur bhi kiye ,Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ek Shareef aur Paakbaaz Khatoon thi ,Nasab ke aitbaar se bhi Quresh me Sabse aala thi ,Unhe Quresh ki Sayyada Kaha jata tha , Qaum ke Bahut se log unse nikaah ke khwahish manad they , Ka'i nojawano ke paigaaam un tak pahunch chuke they Lekin unhone Kisi Ke paigaaam ko qubool nahi Kiya tha,
★_ Nabi Akram ﷺ Tijarat ke Safar SE waapas Aaye to Aap ﷺ ki khususiyaat Dekh Kar aur Aapko baate sun Kar wo Aap ﷺ SE Bahut zyada mutassir ho chuki thi Lihaza Unhone ek Khatoon Nafisa bint Munih ko Aapki khidmat me bheja ,Unhone aa Kar Aap se Kaha k agar koi daulatmand aur Paakbaaz Khatoon khud Aapko nikaah ki peshkash KARE to kya Aap Maan lenge ,
Unki ye Baat sun Kar Aap ne farmaya:- Wo kon Hai'n ?
Nafisa ne foran Kaha - Khadija bint Khuweld_,"
Aapne Unhe ijazat de di, Nafisa bint Munih Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ke paas aayi ,Unhe Saari Baat batayi ,Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ne Apne Chacha Amru bin Asad ko ittela karayi Taki wo aa Kar nikaah kar de ,
★_ Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ki isse Pehle do martaba Shadi ho chuki thi, unka pehla Nikah Ateeq ibne Maa'id se hua tha , Usse beti Hinda paida hui thi, Ateeq ke faut ho Jane ke baad Sayyada Ka doosra Nikah Abu Haala naami Shakhs se hua , Abu Haala ki wafaat ke baad Sayyada Khadija Raziyllahu Anha bewgi ki Zindgi guzaar rahi thi k unhone Aap ﷺ se Nikah ka iraada Kar Liya, Us Waqt Sayyada ki Umar 40 Saal ke lagbhag thi,
★_ Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ke chacha Amru bin Asad waha'n pahunch gaye, Idhar Nabi Kareem ﷺ bhi Apne Chachao'n ko le Kar pahunch gaye, Nikah kisne padhaya is bare me rivayyat Mukhtalif Hai'n ,Ek rivayat ye Hai k ye Nikah Chacha Abu Taalib ne padhaya tha , Mehar ke raqam ke bare me bhi Rivayaat Mukhtalif Hai'n , Ek rivayat ye Hai k Mehar ki raqam 12 oqiya ke qareeb thi ,Doosri rivayat ye Hai k Aapne Mehar me 20 Jawan ountniya'n di ,
Nikah ke baad Nabi Kareem ﷺ ne Walime ki dawat khilayi aur us Dawat me Aapne ek ya do ount zibah kiye ,
╨─────────────────────❥
★__ Teen Tehrire'n _,*
★_ Aap ﷺ ki Umar 35 Saal hui to Makka me Zabardast sailaab Aaya ,Quresh ne sailaab se mehfooz rehne ke liye ek band Bana rakha tha Magar ye sailaab is qadar Zabardast tha k band Tod Kar Kaabe me dakhil ho gaya ,Paani ke Zabardast rele aur Paani ke andar Jama hone ki vajah se Kaabe ki diwaaro ke Shagaaf pad gaye, Isse Pehle Ek martaba ye Diwaare aag lag Jane ki vajah se Kamzor ho chuki thi aur ye waqi'a is Tarah hua tha k ek martaba koi Aurat Kaabe ko dhooni de rahi thi k us aag me SE ek chingaari ud Kar Kaabe ke parde tak pahunch gayi isse parde ko aag lag gayi aur diwaare tak jal gayi ,is Tarah diwaare Bahut Kamzor ho gayi thi ,Yahi vajah thi k Sailaab ne unki Kamzor diwaaro me Sagaaf Kar diye ,
★_ Sayyadna Ibrahim Alaihissalam ne Kaabe ki Jo diwaare uthayi thi Wo 9 Gaz ounchi thi ,Un per chhat nahi thi ,Log Kaabe ke liye nazraane vagera late they ,Ye nazraane Kapde aur Khushbue'n vagera Hoti thi ,Kaabe ke andar Jo Kunwa tha ye sab nazraane us Kunwe me daal diye jate they , Kunwa androoni hisse me Daayi taraf tha ,Usko Kaabe Ka khazana Kaha jata tha, Kaabe ke khazane ko Ek martaba ek Chor ne churane ki Koshish ki , Chor Kunwe hi me gir gaya ,Uske baad Allah Ta'ala ne uski Hifazat ke liye ek Saanp ko muqarrar Kar diya, Saanp Kunwe ki munder per betha rehta tha ,Kisi Ko khazane ke Nazdeek nahi Aane deta tha ,Quresh bhi usse khofzada rehte they ,Ab Jabki Kaabe ki diwaaro me Sagaaf pad gaye aur naye sire se usko tameer Ka masla pesh Aaya to Allah Ta'ala ne ek parinde ko bheja Wo us Saanp ko utha le gaya _,
*( Al Bidaya V An Nihaya )*
★_ Ye Dekh Kar Quresh Ke log Bahut Khush hue ,Ab unhone naye sire se Kaabe ki tameer Ka Faisla Kar liya aur program banaya k Buniyaade mazboot Bana Kar Diwaaro ko zyada ouncha uthaya Jaye ,is Tarah Darwaze ko bhi ouncha kar diya Jayega Taki Kaabe me koi dakhil na ho ,Sirf Wohi Shakhs dakhil ho jise Wo ijazat de'n ,
★__ Ab unhone patthar Jama kiye ,Har Qabila Apne Hisse ke patthar alag Jama Kar raha tha ,Chanda bhi Jama Kiya gaya, Chande me Unhone Paak kamayi di ,Napaak kamayi nahi di ,Maslan Tawaifo ki Aamdani ,Sood ki kamayi ,Doosre Ka Maal gasb Kar Ke haasil ki gayi Daulat Chande me nahi di aur Paak kamayi Unhone bila vajah nahi di thi , Ek khaas Waqia pesh Aaya tha Jisse wo is natije per pahunche they k is Kaam me Sirf paak kamayi lagayi jayegi ,
★_ Wo Waqia Yu'n tha :- Ek Quresh Sardaar Abu Wahab Amru bin Aabid ne jab ye Kaam shuru Karne Ke liye ek patthar uthaya to Patthar Uske Haath SE Nikal Kar fir us Jagah pahunch gaya Jaha'n SE use uthaya tha , Is per Quresh Hairaan v Pareshan hue , Aakhir khud Wahab khada hua aur Bola -
"_ Ey Quresh ! Kaabe ki buniyad me Sivaye Paak maal ke koi doosra Maal shamil mat Karna , Baitullah ki tameer me Kisi badkaar Aurat ki kamayi ,Sood ki kamayi ya Zabardasti haasil ki gayi Daulat hargiz shamil na Karna _,"
★_ Ye Wahab Nabi Kareem ﷺ ke Waalid Hazrat Abdullah Ka Maamu tha aur Apni Qaum me Ek Shareef Aadmi tha ,
Jab Quresh ke log Khaana Kaaba ki tameer ke liye patthar dho rahe they to unke Saath Nabi Kareem ﷺ bhi patthar dhone me Shareek they ,Aap Patthar Apni gardan per Rakh Kar la rahe they, Tameer shuru Karne SE Pehle Quresh ke logo ne khof mehsoos Kiya k Diwaare giraane SE Kahi un per koi musibat na nazil ho jaye , Aakhir Ek Sardaar Waleed bin Mugira ne Kaha :- Kaabe ki diwaar giraane SE Tumhara iraada islaah aur marammat Ka hai ya usko kharaab Karne Ka ?"
Jawab me logo ne Kaha - Zahir hai hum marammat aur islaah chahte Hai'n,
Ye sun Kar Waleed ne Kaha :- Tab fir samajh lo Allah Ta'ala islaah Karne walo ko barbaad nahi karta _,"
★_ Fir Waleed hi ne girane ke Kaam ki ibtida ki Lekin Usne bhi Sirf Ek hissa hi giraya taki Maloom ho Jaye k un per koi Tabaahi to nahi aati , Jab Wo Raat khairiyat se guzar gayi tab doosre Din sab log Uske Saath Shareek ho gaye aur Poori imaarat gira di Yaha'n tak k uski Buniyad tak pahunch gaye, Ye Buniyad Ibrahim Alaihissalam Ke haath ki rakhi hui thi , Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne buniyaado me sabz rang ke patthar rakhe they ,Ye patthar ount ki kohaan ki Tarah ke they aur ek doosre se jude hue they, Un logo ke liye inko todna Bahut Mushkil kaam Saabit hua ,
★__ Daaye'n Kone ke niche SE Quresh ko ek Tehreer Mili , Wo Tehrire'n Suryani Zubaan me likhi hui thi ,Unhe Suryani Zubaan nahi aati thi , Aakhir Ek Yahoodi ko Talash Kar Ke laya gaya ,Usne Wo Tehreer padh Kar Unhe sunayi _,"
★__ Tehreer Ye thi :- Mai'n Allah Hu'n ,Makka Ka Maalik Jisko Maine us din paida Kiya Jis din Maine Asmaano aur zameeno ko paida Kiya ,Jis Din Maine Suraj aur Chaand banaye ,Maine isko Yani Makka ko Saat Farishto ke zariye ghair diya hai ,Iski Azmat us Waqt tak Khatm nahi hogi jab tak k iske Dono taraf ke Pahaad mojood Hai'n , In Pahaado se muraad Ek to Abu Qais Pahaad hai Jo k Safa Pahaadi ke Saamne hai aur Doosra Qaiqiyan Pahaad hai Jo Makka ke qareeb hai AUR Jiska rukh Abu Qais Pahaad ki taraf hai aur ye Shehar Apne Bashindo ke liye Paani aur Doodh ke lihaaz se Bahut Ba Barkat aur nafa wala hai _,"
★__ Ye Pehli Tehreer thi , Doosri Maqaame Ibrahim SE Mili ,Usme Likha tha :- Makka Allah Ta'ala Ka mohatram aur Mo'azzam Shehar hai ,iska rizq teen raasto se isme aata hai _,"
Yaha'n teen raasto se muraad Quresh ke teen Tijarati Raaste Hai'n ,Un Raasto se Qafile aate Jate they ,
★__ Teesri Tehreer iske Kuchh faasle se Mili ,usme Likha tha :- Jo Bhalai hoyega log us per rashq karenge Yani us jesa banne ki Koshish karenge aur Jo Shakhs ruswa'i hoyega wo ruswa'i aur nadamat payega , Tum Buraiya'n Kar Ke Bhalai ki Aas lagate ho , Haa'n ! Ye esa hi hai Jese Keekar Yani Kaantedaar darakht me koi angoor Talash kare _,"*
★_ Ye Tehrire'n Kaaba ke andar patthar per khudi hui Mili , Kaaba ki tameer ke Silsile me Quresh ko Pattharo ke alawa lakdi ki bhi zarurat thi , Chhat aur Diwaaro me lakdi ki zarurat thi , Lakdi Ka masla is Tarah hal hua k ek Jahaaz Arab ke Saahil se aa Kar takra gaya ,Aaj us Muqaam ko Jaddah Ka Saahil kaha Hai, Pehle ye Makka Ka Saahil kehlata tha isliye k Makka Ka qareeb tareen Saahil Yahi tha ,
★__ Saahil SE takra Kar Jahaaz toot gaya ,Wo Jahaaz Kisi Roomi taajir Ka tha ,Us Jahaaz me Shahe Rom ke liye Sangmarmar ,lakdi aur Lohe Ka Samaan le Jaya ja raha tha, Quresh ko is Jahaaz ke bare me pata Chala to ye log Waha'n pahunche aur un logo se lakdi khareed li ,Is Tarah Chhat ki tameer me is lakdi ko istemal Kiya gaya, Aakhir Khana Kaaba ki tameer Ka Kaam Hajre Aswad tak pahunch gaya ,
★ _
╨─────────────────────❥
★☝🏻★: *
★__ Hajre Aswad Kaun rakhega ?*
★__ Ab Yaha'n ek Naya masla paida ho gaya, Sawal ye Paida hua k Hajre Aswad kon utha Kar uski Jagah per rakhega ,
Har Qabila ye fazilat khud haasil Karna Chahta tha ,Ye jhagda is had tak badha k Marne maarne tak nobat aa gayi ,Log ek doosre ko qatl Karne per tul gaye , Qabila Abd Aldaar ne to Qabila Adi ke Saath mil Kar ek bartan me Khoon bhara aur usme Apne Haath dubo Kar Kaha :- Hajre Aswad hum rakhenge _,"
Isi Tarah doosre Qabile bhi ad gaye ,Talwaare miyano se nikal aayi _,
★_ Aakhir wo sab Baitullah me Jama hue ,Un Logo'n me Abu Umayya bin Mugira tha ,Uska Naam Huzefa tha , Quresh ke Poore Qabile me ye Sabse zyada Umar wala tha ,Ye Ummul Momineen Sayyada Umme Salma Raziyllahu anha Ka Baap tha ,Quresh ke intehayi Shareef Logo'n me se tha , Musafiro ko safare Samaan aur Khana vagera dene ke Silsile me bahut Mash'hoor tha ,Jab Kabhi Safar karta to Apne Sathiyo'n ke khane pine Ka Samaan khud karta tha_,"
★_ Is Waqt is Shadeed Jhagde ko Khatm Karne Ke liye Usne Ek Hal pesh Kiya, Usne Sabse Kaha :-
"_ Ey Quresh Ke Logo'n Apna jhagda Khatm Karne Ke liye tum Yu'n Karo k Haram ke Safa naami Darwaze SE Jo Shakhs Sabse Pehle dakhil ho usse Faisla Kara lo ,Wo Tumhare darmiyaan Jo Faisla KARE Wo sab usko maan Le'n _,"
Ye Tajveez sab ne maan li ,Aaj us Darwaze ko Baabul Salaam Kaha jata hai, Ye Darwaza rukne yamani aur rukne Aswad ke darmiyaani hisse ke Saamne hai ,
★__ Allah ki Qudrat k is Darwaze SE Sabse Pehle Huzoor Nabi ﷺ Tashreef laye, Quresh ne Jese hi Aapko dekha , Pukaar uthe :- "_ Ye to Ameen Hai'n ,Ye to Muhammad Hai'n, Hum in per Raazi Hai'n _,"
Aur Unke esa Kehne ki vajah ye thi k Quresh Apne aapas ke jhagdo ke Faisle Aap hi se karaya Karte they, Aap Kisi ki beja himayat nahi Karte they,na bila vajah Kisi ki mukhalfat Karte they _,
:
★__ Fir un Logo'n ne Apne Jhagde ki tafseel Aap ﷺ ko sunayi ,Saari Tafseel sun Kar Aapne farmaya :- "_Ek Chaadar le Aa'o _,"
Wo log Chaadar le Aaye ,Aapne us Chaadar ko bichhaya aur Apne daste Mubarak se Hajre Aswad ko utha Kar us Chaadar per rakh diya ,Iske baad Aapne irshad farmaya :- "_ Har Qabile ke log is Chaadar Ka Ek kinaara Pakad Le'n ,Fir sab mil Kar isko uthaye _,"
★__ Unhone esa hi Kiya , Chaadar ko uthate hue wo us Muqaam tak aa gaye Jaha'n Hajre Aswad ko rakhna tha ,Iske baad Nabi Akram ﷺ ne Hajre Aswad ko utha Kar uski Jagah rakhna Chaha Lekin ayn usi Waqt Ek Najdi Shakhs aage badha aur tez Awaaz me Bola :-
"_ Bade Ta'ajjub ki Baat hai k Aap Logo'n ne ek kam Umar Nojawan ko Apna Rahnuma bana liya ,iski izzat afza'i me lag gaye ho ,Yaad rakho, ye Shakhs sabko giroho me taqseem Kar dega ,Tum Logo'n Ko para para Kar dega _,"
Qareeb tha k Logo'n me uski baato se ek Baar fir jhagda ho Jaye Lekin fir khud hi Unhone mehsoos Kar liya k Huzoor ﷺ ne Jo Faisla kiya hai Wo ladane wala nahi , Ladayi Khatm Karne wala hai , Chunache Hajre Aswad ko Nabi Kareem ﷺ ne Apne Mubarak Haatho se uski Jagah per rakh diya _,,
★_ Morkho'n ne Likha hai ,Ye Najdi Shakhs dar asal iblees tha Jo is moqe per insaani shakl me Aaya tha ,
★__ Jab Kaabe ki tameer Mukammal ho gayi to Quresh ne Apne Buto'n ko fir SE usme saja diya,
Kaabe ki ye Tameer Jo Quresh ne ki Chothi tameer thi , Sabse Pehle Kaabe ko Farishto ne banaya tha , Baaz Sahaba ne farmaya hai k Zameen v Asmaan ko paida Karne se Pehle Allah Ta'ala Ka arsh Paani ke Ouper tha ,Jab Arsh ko Paani per hone ki vajah se Harkat hui to us per ye Kalma Likha gaya :-
"_ Laa ilaaha illallahu Muhammadur Rasulullah _,"
Allah Ta'ala ke Siva koi Ma'abood nahi , Muhammad ﷺ Allah Ta'ala Ke Rasool Hai'n _,"
★__ Is Kalme ke Likhe Jane ke baad Arsh Saakin ho gaya , Fir jab Allah Ta'ala ne Asmaano aur zameen ko paida Karne Ka iraada farmaya to Usne Paani per hawa ko bheja ,Usse Paani me moje uthne lagi aur Bukharaat uthne lage , Allah Ta'ala ne un Bukharaat Yani Bhaap se Asmaan ko paida farmaya, Fir Allah Ta'ala ne Kaaba ki Jagah se Paani ko hata diya,Jagah Khushk ho gayi, Chunache Yahi Baitullah ki Jagah Saari Zameen ki asal hai aur iska markaz hai , Yahi Khushki badte badte Saat Barre Aazam ban gayi , Jab Zameen Zaahir ho gayi to us per Pahaad Qaa'im kiye gaye, Zameen per Sabse Pehla Pahaad Abu Qais hai ,
:
★__ Fir Allah Ta'ala ne Farishto ko Hukm farmaya :-
"_ Zameen per mere Naam Ka Ek Ghar bana'o Taki Aadam ki Aulaad us Ghar ke zariye Meri panaah maange , Asmaan us Ghar Ka tawaaf kare ,Jis Tarah Tumne mere arsh ke gird tawaaf Kiya hai Taki Mai'n unse Raazi ho Jau'n _,"
★_ Farishto ne Hukm ki tameel ki ,Fir Aadam Alaihissalam ne Khana Kaaba ki tameer shuru ki , Uske baad Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne Khana Kaaba ki tameer ki ,is Tarah Quresh ke haatho ye Tameer Chothi Baar hui thi _,
★_ Huzoor Akram ﷺ ki Umar Mubarak 40 Saal ke qareeb hui to Wahi ke Asaar shuru ho gaye , is Silsile me Sabse Pehle Aapko Sachche Khwab dikhayi dene lage ,Aap Jo Khwab dekhte wo Haqiqat ban Kar Saamne aa jata , Allah Ta'ala ne Sachche khwabo Ka Silsila isliye shuru Kiya k Achanak Farishte ki Aamad SE Kahi'n Aap khofzada na ho Jaye'n , Un Dino ek Baar Aapne Sayyada Khadija Raziyllahu Anha se farmaya :-
"_ Jab Mai'n tanhayi me ja Kar bethta Hu'n to mujhe Awaaz sunayi deti hai... Koi Kehta hai ,Ey Muhammad ....Ey Muhammad ..."
Ek Baar Aapne farmaya :-
"_ Mujhe Ek Noor Nazar aata hai, Ye Noor jaagne ki Haalat me Nazar aata hai, Mujhe dar hai iske natije me koi Baat na pesh aa Jaye _,"
Ek Baar Aapne ye bhi farmaya:-
"_ Allah ki qasam ! Mujhe jitni nafrat in Buto'n se hai ,Utni Kisi or se nahi _,"
★__ Wahi ke liye Aapko zahni tor per Taiyaar Karne Ke liye Allah Ta'ala ne Farishte Israfeel ko Aapka Hum Dam bana diya tha ,Aap unki mojoodgi ko mehsoos to Karte they Magar Unhe dekh nahi sakte they , is Tarah Aapko Nabuwat ki Khush Khabriya'n di Jati rahi ,Aapko wahi ke liye Taiyaar Kiya jata raha ,
Allah Ta'ala ne Aapke Dil me Tanhayi Ka Shoq paida farma diya tha , Chunache Aapko Tanhayi Azeez ho gayi ,Aap Gaare Hira me chale jate aur waha'n Waqt guzaarte , Us Pahaad se Aapko ek Baar Awaaz bhi sunayi di thi :- "_ Meri taraf Tashreef laiye Ey Allah ke Rasool _,"
★__ Us gaar me Aap musalsal Ka'i Ka'i raate guzaarte ,Allah ki ibaadat Karte ,Kabhi Aap teen raato tak waha'n thehre rehte ,Kabhi saat raato tak,Kabhi Poora Mahina waha'n guzaar dete, Aap Jo Khana Saath le jate they ,Jab Khatm ho jata to Ghar Tashreef le jate ,Ye Khana aam tor per Zetoon Ka tel aur Khushk roti hota tha , Kabhi khane me gosht bhi hota tha, Gaare Hira me qayaam ke Dauraan Kuchh log Waha'n se guzarte aur unme Kuchh miskeen log hote to Aap Unhe Khana khilate ,
Gaare Hira me Aap ibaadat kis Tarah Karte they ? Rivayaat me iski wazahat nahi milti ,Ulma Kiraam ne Apna Apna khayal Zaroor Zaahir Kiya hai ,Unme se ek khayal ye Hai k Aap Kaynaat ki Haqiqat per goro fikr Karte they aur ye goro fikr Logo'n se alag reh Kar hi ho Sakta tha _,,
★__ Fir Aakhir kaar wo Raat aa gayi jab Allah Ta'ala ne Aapko Nabuwat aur risaalat ata farma di, Aapki Nabuwat ke zariye Apne Bando per Azeem Ahsaan farmaya ,Wo Rabiul Avval Ka Mahina tha aur Tareekh 17 thi ,Baaz Ulma ne ye Likha hai k wo Ramzan Ka Mahina tha Kyunki Qur'an Ramzan me Naazil Hona shuru hua tha , Aathvi aur Teesri Tareekh bhi rivayat me aayi hai aur ye pehla moqa tha jab Jibraiyl Alaihissalam wahi le Kar Aapki khidmat me Haazir hue , Isse Pehle Wo Aapke pass nahi Aaye they ,Jis subeh Jibraiyl Alaihissalam wahi le Kar Aaye Wo Peer ki subeh thi aur Peer ki subeh hi Aap is Duniya me Tashreef laye they , Aap farmaya Karte they :-
"_ Peer ke Din Ka Roza rakho , Kyunki Mai'n Peer ke Din paida huwa ,Peer ke Din hi mujhe Nabuwat mili _,"
Bahar haal is bare me rivayyat Mukhtalif Hai'n ye Baat Tay hai k us Waqt Aapki Umar Mubarak Ka 40 va Saal tha , Aap us Waqt neend me they k Jibraiyl Alaihissalam Tashreef le Aaye ,Unke Haath me Ek reshmi Kapda tha aur us Kapde me Ek Kitaab thi _,,,
╨─────────────────────❥
*┱✿___ Pehli Wahi _,*
★__ Unhone aate hi Kaha :- "_ Iqra Yani padhiye _,"
Aap ﷺ ne farmaya:- "_ Mai'n nahi padh Sakta _,"( Yani Mai'n padha Likha nahi Hu'n )
Is per Jibraiyl Alaihissalam ne Aapko Seene se laga Kar bheencha , Aap farmate hai'n, Unhone mujhe is zor se bheencha k mujhe maut Ka gumaan hua ,iske baad Unhone mujhe Chhod diya, fir Kaha :- Padhiye, Yani Jo Mai'n kahu'n wo padhiye , is per Aapne farmaya :- Mai'n Kya padhu ?
★_ Tab Jibraiyl Alaihissalam ne Surah Al Alaq ki ye Aayaat padhi :-
( tarjuma ) :- Ey Paigambar ﷺ Aap ( per Jo Qur'an Naazil hua karega ) Apne Rab Ka Naam Le Kar padha kijiye ( Yani jab padhe , Bismillahir Rahmaanir Raheem , Keh Kar padha kijiye ) Jisne makhlooqaat ko paida Kiya, Jisne insaan Ko Khoon ke lothde se paida Kiya, Aap Qur'an padha kijiye aur Aapka Rab bada Kareem hai ( Jo Chahta hai ata karta Hai aur esa hai ) Jisne Likhe padho ko qalam se Taleem di ( aur Aalam tor per ) insaano ko ( doosre zariye se ) un Cheezo ki taleeem di Jinko wo nahi jaanta tha _,"
★__ Aap ﷺ farmate hai'n :- Maine in Aayato ko usi Tarah padh diya, Jis ke baad wo farishta mere paas se Chala gaya , Esa Lagta tha goya mere Dil me Ek Tehreer likh di gayi ho ,Yani ye Kalmaat mujhe Zubaani Yaad ho gaye , iske baad Aap Ghar Tashreef laye _,
Baaz Rivayaat me aata hai k Jibraiyl Alaihissalam jab gaar me Aaye to Pehle Unhone Alfaaz kahe they :-
"_ Ey Muhammad ! Aap Allah Ke Rasool Hai'n aur Mai'n Jibraiyl Hu'n _,"
★_ Aapke Ghar Tashreef Aawri se Pehle Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ne Hasbe mamool Aapke liye Khana Taiyaar Kar Ke ek Shakhs ke Haath Aapke pass bhijwa diya tha ,Magar us Shakhs ko Aap Gaar me Nazar na Aaye ,Us Shakhs ne waapas aa Kar ye Baat Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ko batayi , Unhone Aapki Talash me Aapke Azeezo Aqarib ke ghar Aadmi bheje ,Magar Aap waha'n bhi na mile , isliye Sayyada Khadija Raziyllahu Anha pareshan ho gayi, Wo abhi isi Pareshani me thi k Aap Tashreef le Aaye , Aapne Jo Kuchh Dekha aur Suna tha Uski tafseel Sayyada Khadija Raziyllahu Anha se Bayan farmayi , Hazrat Jibraiyl Ka ye jumla bhi bataya k Ey Muhammad Aap Allah Ke Rasool Hai'n_,"
★__ Ye Sun Kar Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ne Kaha :-
"_ Aapko Khush Khabri ho ... Aap Yaqeen kijiye ! Qasam hai us zaat ki Jiske qabze me Meri Jaan hai, Aap is Ummat ke Nabi honge _,"
★__ Fir Sayyada Khadija Raziyllahu Anha Aapko Apne Chacha zaad Bhai Warqa bin Nofal ke paas le gayi , Gaar wala Saara Waqia Unhe sunaya , Warqa bin Nofal Purani Kitaabo ke Aalim they,Saari Baat sun Kar wo pukaar uthe :-
"_ Quddus ... Quddus... Qasam hai us zaat ki Jiske qabze me Meri Jaan hai, Khadija ! Agar tum sach keh rahi ho to isme shak nahi Unke paas wahi namoose Akbar Yani Jibraiyl Aaye they Jo Moosa Alaihissalam ke paas Aaya Karte they, Muhammad is Ummat ke Nabi Hai'n, Yeh is Baat per Yaqeen Kar Le'n _,"
Quddus Ka Matlab hai ,Wo zaat Jo har Ayb se Paak ho ,Ye lafz ta'ajjub ke waat Bola jata hai Jese hum keh dete Hai'n, Allah ... Allah ,
★_ Warqa bin Nofal ko Jibraiyl Ka Naam sun Kar Hairat hui thi k Arab ke doosre Shehro me logo ne ye Naam suna bhi nahi tha , Ye bhi Kaha jata hai k Warqa bin Nofal ne Aapke sar ko bosa diya aur fir Kaha tha :-
"_ Kaash ! Mai'n us Waqt tak zinda rehta jab Aap Logo'n Ko Allah Ta'ala ki taraf Daawat denge , Mai'n Aapki madad karta , is Azeem Kaam me badh chadh Kar hissa leta , Kaaah Mai'n us Waqt tak zinda rahu'n ,Jab Aapki Qaum Aapko jhutlayegi ,Aapko takaleef pahunchayegi , Aapke Saath junge ladi jayengi aur Aapko Yaha'n se nikaal diya Jayega , Agar Mai'n us Waqt tak zinda raha to Aapka Saath dunga , Allah Ke Deen ki himayat karunga _,"
Aap ye sun Kar Hairaan hue aur farmaya :- Meri Qaum mujhe watan se nikaal degi ?
Jawab me Warqa ne Kaha :- Haa'n ! Isliye k Jo Cheez Aap le Kar aaye Hai'n, use le Kar Jo bhi aaya us per zulm dhaaye gaye .. agar Maine wo zamana paya to Mai'n Zaroor Aapki Poori madad karunga_,"
Warqa ne Hazrat Khadija Raziyllahu Anha se ye bhi Kaha :- Tumhare Khawind Beshak Sachche Hai'n ,Dar Haqeeqat ye baate Nabuwat ki ibtida Hai'n....Ye is Ummat ke Nabi Hai'n_,"
★__ Lekin iske Kuchh hi muddat baad Warqa bin Nofal Ka inteqal ho gaya, Unhe Hujoon ke Muqaam per dafan Kiya gaya, Chunki Unhone Aapki tasdeeq ki thi isliye Nabi Kareem ﷺ ne unke bare me farmaya :- Maine Warqa ko Jannat me dekha hai ,Unke jism per Surkh libaas tha _,"
★__ Warqa SE Mulaqaat ke baad Aap ﷺ Ghar Tashreef le Aaye , Uske baad ek muddat tak Jibraiyl Alaihissalam Aapke saamne Nahi Aaye , Darmiyaan me Jo waqfa daala gaya isme Allah Ta'ala ki ye hikmat thi k Aapke Mubarak Dil per Jibraiyl Alaihissalam ko Dekh Kar Jo Khof paida ho gaya tha Uska Asar zaa'il ho Jaye aur Unke na Aane ki vajah se Aapke Dil me wahi Ka Shoq paida ho Jaye , Chunache esa hi hua , Jibraiyl Alaihissalam ki Aamad ke baad Silsila Ruk Jane ke baad Aapko sadma hua , Ka'i Baar Aap Pahaado ki chotiyo'n per Chad gaye Taki khud Ko waha'n SE gira Kar Khatm Kar de'n Lekin jab bhi Aap esa Karne ki Koshish Karte , Jibraiyl Alaihissalam Aapko pukaarte -"_ Ey Muhammad ! Aap Haqeeqat me Allah Ta'ala ke Rasool Hai'n_,"
★__ Ye Kalmaat sun Kar Aap Sukoon mehsoos Karte Lekin jab fir wahi Ka Waqfa Kuchh or guzarta to Aap be qaraar ho jate , ranj mehsoos Karte or is Tarah Pahaad ki choti per Chad jate , Chunache fir Jibraiyl Alaihissalam aa jate aur Aapko tasalli dete , Aakhir dobara wahi hui ,Surah Mudassir Ki Pehli teen Ayaat utri :-
(Tarjuma):- Ey Kapde me letne wale utho ! ( Yani Apni Jagah se utho aur Taiyaar ho Ja'o ) fir Kaafiro ko dara'o aur fir Apne Rab ki Bada'iya'n Bayan Karo aur Apne Kapde Paak rakho _"
★__ Is Tarah Aapko Nabuwat ke Saath tablig Ka Hukm diya gaya, ibne ishaaq likhte Hai'n:- "_ Sayyada Khadija Raziyllahu Anha Pehli Khatoon Hai'n Jo Allah aur Uske Rasool per imaan layi aur Allah ki taraf se Jo Kuchh Aap Hazrat ﷺ le Kar Aaye ,uski tasdeeq ki , Mushrikeen ki taraf se Aapko jab bhi Takleef pahunchi ,Sadma pahuncha , Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ne Aapko dilasa diya_,"
★_ Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ke baad doosre Aadmi Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu Hai'n ,Jo Aap ke purane Dost they , Unhone Aapki Zubaan SE Nabuwat Milne Ka Zikr Sunte hi foran Aapki tasdeeq ki aur imaan le Aaye, Bachcho me Sayyadna Ali Raziyllahu anhu Hai'n Jo Aap per Pehle imaan late aur Unke imaan lane Ka Waqia Kuchh is Tarah hai _,
"★_ Ek Din Aap Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke paas Tashreef laye, Us Waqt Sayyada Khadija Raziyllahu Anha bhi Aapke Saath thi aur Aap unke Saath Chhup Kar Namaz padh rahe they, Unhone ye nayi Baat Dekh Kar puchha :- Ye Aap kya Kar rahe Hai'n ?
Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya:- Ye Wo Deen hai Jisko Allah Ta'ala ne Apne liye Pasand farmaya hai aur iske liye Allah Ta'ala ne Apne Paigambar bheje Hai'n , Mai'n tumhe bhi us Allah ki taraf bulata Hu'n Laat aur Uzza ki ibaadat SE rokta Hu'n _,"
Hazrat Ali ne ye sun Kar arz Kiya :- Ye Ek nayi Baat hai ,iske bare me Maine Aaj SE Pehle kabhi nahi Suna , isliye Mai'n Apne bare me abhi Kuchh nahi keh Sakta , Mai'n Apne Waalid SE mashwara Kar Lu'n _,"
Unka Jawab sun Kar Aapne irshad farmaya:- Ali agar tum musalman nahi Hote to bhi is Baat ko chhupaye rakhna _,"
Unhone vaada Kiya aur iska Zikr Kisi Se na Kiya , Raat Bhar Sochte rahe , Aakhir Allah Ta'ala ne Unhe hidayat ata farmayi ,Savere Aapki khidmat me Haazir hue aur Musalman ho gaye ,
★_ Ulma ne Likha hai Us Waqt Hazrat Ali ki Umar 8 Saal ke qareeb thi,isse Pehle bhi Unhone Kabhi Buto'n ki ibaadat nahi ki thi, Wo Bachpan hi se Nabi Kareem ﷺ ke Saath rehte they ,
★__ Lekin Ahatyaat ke bavjood Hazrat Ali Raziyllahu anhu ke Waalid ko inke quboole islam Ka ilm ho gaya ,to unhone Hazrat Ali Raziyllahu anhu se iske mutalliq istafsaar Kiya , Apne Waalid Ka Sawal sun Kar Hazrat Ali Raziyllahu anhu ne farmaya :-
"_ Abba Jaan! Mai'n Allah aur Uske Rasool per imaan la chuka Hu'n aur jo Kuchh Allah ke Rasool le Kar Aaye Hai'n uski tasdeeq kar chuka Hu'n, Lihaza unke Deen me dakhil ho gaya Hu'n aur unki Pervi Akhtyar Kar chuka Hu'n _,"
Ye sun Kar Abu Taalib ne Kaha :- Jaha'n tak unki Baat hai ( Yani Muhammad ﷺ ki ) to Wo tumhe bhalayi ke Siva Kisi doosre Raaste per nahi lagayenge Lihaza unka Saath na chhodna _,"
★_ Abu Taalib Aksar Kaha Karte they:- Mai'n Jaanta Hu'n Mera Bhatija jo Kehta hai Haq hai, Agar mujhe ye dar na hota k Quresh ki Aurte'n mujhe sharm dilayengi to Mai'n Zaroor unki Pervi qubool Kar leta _,"
★__ Afeef Kandi Raziyllahu anhu Ek taajir they ,unka Bayan hai :- Islam lane se Pehle mai Ek martaba Hajj Ke liye Aaya ,Tijarat Ka Kuchh Maal khareedne ke liye Mai'n Abbas ibne Abdul Muttalib ke paas gaya ,Wo mere Dost they aur Yaman se Aksar Atr khareed Kar late they ,fir Hajj Ke mosam me Makka me farokht Karte they, Mai'n unke Saath Mina me betha tha k ek Nojawan Aaya ,Usne guroob Hote Suraj ki taraf gor se dekha ,Jab Usne dekh liya k Suraj guroob ho chuka hai to Usne Bahut ahatmam SE Wazu Kiya ,fir Namaz Padhne laga Yani Kaaba ki taraf moonh Kar Ke ....fir Ek ladka Aaya Jo baalig hone ke qareeb tha ,Usne Wazu Kiya aur us Nojawan ke barabar khade ho Kar Namaz Padhne laga ,fir Ek Aurat Khaime se nikli aur Unke Pichhe namaz ki niyat baandh Kar khadi ho gayi, Iske baad us Nojawan ne ruku Kiya to us ladke aur Aurat ne bhi ruku Kiya, Nojawan , Nojawan Sajde me Gaya to woh Dono bhi Sajde me chale gaye, Ye manzar dekh kar Maine Abbas ibne Abdul Muttalib se Puchha :- Abbas ! Ye kya ho raha Hai _,"
Unhone bataya :- Ye mere Bhai Abdullah ke bete Ka Deen hai ,Muhammad ﷺ Ka Daava hai k Allah Ta'ala ne use Paigambar Bana Kar bheja hai ,Ye ladka Mera Bhatija hai Ali ibne Abu Taalib hai aur Aurat Muhammad ﷺ ki Bivi Khadija hai ,
★__ Ye Afeef Kandi Raziyllahu anhu musalman hue to Kaha Karte they:- Kaash ! Us Waqt unme chotha Aadmi Mai'n hota _,"
Is Waqi'e ke Waqt galiban Hazrat Zaid bin Haarisa aur Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu waha'n mojood nahi they Agarche us Waqt tak Dono musalman ho chuke they ,
★__ Hazrat Zaid bin Haarisa Raziyllahu anhu Gulaamo me Sabse Pehle imaan laye they, Ye Huzoor Akram ﷺ ke Azaad Karda Gulaam they ,Pehle ye Hazrat Khadija Raziyllahu Anha ke Gulaam they ,Shaadi ke baad Unhone Zaid bin Haarisa Raziyllahu anhu ko Aap ﷺ ki gulami me de diya tha ,
★__ Ye Gulaam Kis Tarah bane Ye bhi sun Le'n , Jahaalat ke zamane me inki Waalida inhe liye Apne Maa'n Baap ke Yaha'n ja rahi thi k Qafile ko loot liya gaya ,Daaku inke bete Zaid bin Haarisa Raziyllahu anhu ko bhi le gaye ,Fir inhe Ukaaz Ke mele me bechne ke liye laya gaya, idhar Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ne Hakeem bin Huzaam Raziyllahu anhu ko mele me bheja ,Wo Ek Gulaam kharidna chahti thi, Aap Hakeem bin Huzaam Raziyllahu anhu ki Foofi thi ,Hakeem bin Huzaam Raziyllahu anhu mele me Aaye to waha'n inhone Zaid bin Haarisa Raziyllahu anhu ko bikte dekha , Us Waqt inki Umar 8 Saal thi , Hakeem bin Huzaam Raziyllahu anhu ko ye achche lage , Chunache Unhone Sayyada Khadija Raziyllahu Anha ke liye inhe khareed liya, Hazrat Khadija Raziyllahu Anha ko bhi ye Pasand Aaye aur Unhone inhe Apni Gulami me le liya ,Fir Nabi Kareem ﷺ ko Hadiya Kar diya, is Tarah Hazrat Zaid Bin Haarisa Raziyllahu anhu Aap ﷺ ke Gulaam bane ,
★__ Fir Jab Aapne islam ki Dawat di to foran imaan le Aaye, Baad me Huzoor Akram ﷺ ne inhe Azaad Kar diya tha Magar ye Umar Bhar Huzoor Akram ﷺ ki khidmat me rahe ,inke Waalid Ek muddat SE inki Talash me they ,Kisi ne Unhe bataya k Zaid Makka me dekhe gaye Hai'n ,
Inke Waalid aur Chacha inhe Lene ke liye foran Makka Muazzama ki taraf chal pade , Makka pahunch Kar ye Aap ﷺ ki khidmat me Haazir hue aur Aapko bataya k Zaid unke bete Hai'n ,
Saari Baat sun Kar Aapne irshad farmaya:-
"_ Tum Zaid se poochh lo ,agar ye Tumhare Saath Jana Chahe to mujhe koi aitraaz nahi aur Yaha'n mere paas rehna Chahe to unki marzi _,"
Zaid Raziyllahu anhu se poochha Gaya to inhone Nabi Kareem ﷺ ke Saath rehna Pasand Kiya ,
★__ Is per Baap ne Kaha :- Tera Bura ho Zaid ... Tu Azaadi ke muqable me Gulaami ko Pasand Kar raha Hai _,"
Jawab me Hazrat Zaid Raziyllahu anhu ne Kaha :- Haa'n ! inke ( Huzoor Akram ﷺ) muqable me Mai'n Kisi aur ki hargiz nahi chun Sakta _,"
Aap ﷺ ne Hazrat Zaid Raziyllahu anhu ki ye Baat suni to Aapko foran Hajre Aswad ke paas le gaye aur Elaan farmaya :- Aaj SE Zaid Mera Beta hai _,"
Inke Waalid aur Chacha mayoos ho gaye ,Taaham Nabi Kareem ﷺ ne Unhe ijazat di k Wo jab Chahe Zaid se Milne aa sakte Hai'n, Chunache Wo Milne ke liye aate rahe ,
"__ To ye they Hazrat Zaid bin Haarisa Raziyllahu anhu Jo Gulamo me Sabse Pehle imaan laye, Hazrat Zaid Waahid Sahabi Hai'n Jinka Qur'an E Kareem me Naam Le Kar Zikr Kiya gaya hai _,
★__ Mardo'n me Sabse Pehle Sayyadna Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu imaan laye , Aap Nabi Akram ﷺ ke Pehle hi Dost they , Huzoor Nabi Kareem ﷺ Aksar unke Ghar aate aur unse baate Kiya Karte they, Ek din Hazrat Hakeem bin Huzaam Raziyllahu anhu ke paas Bethe they k unki Ek Baandi waha'n aayi aur Kehne lagi :-
"_ Aaj Aapki Foofi Khadija ne ye Daava Kiya hai k unke Shohar Allah Ta'ala ki taraf se bheje hue Paigambar Hai'n jesa k Moosa Alaihissalam they _,"
★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Jo'nhi Hazrat Hakeem Raziyllahu anhu ki Baandi ki ye Baat suni chupke SE waha'n SE uthe aur Nabi Kareem ﷺ ke paas Aa gaye aur Aapse is bare me puchha , is per Aapne Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ko wahi Aane ka Poora Waqia sunaya aur bataya k Aapko Tablig Ka Hukm diya gaya hai ,Ye Sunte hi Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne arz Kiya:-
"_ Mere Maa'n Baap Aap per qurban Aap bilkul sach Kehte Hai'n waqa'i Allah Ke Rasool Hai'n_,"
Aapke is Tarah foran tasdeeq Karne ki bina per Nabi Akram ﷺ ne Aapko Siddiq Ka laqab ata farmaya _,"
★_ Is bare me doosri Rivayat ye Hai k Siddiq Ka laqab Aapne Unhe us Waqt diya tha jab Aap mairaaj ke Safar SE waapas Tashreef laye they Makka ke Mushrikeen ne Aapko jhutlaya tha ,us Waqt Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne us Waqie ko Sunte hi Fori tor per Aapko tasdeeq ki thi aur Aapne Unhe Siddiq Ka laqab ata farmaya tha,
Garz Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Aapki Nabuwat ki tasdeeq fori tor per Kar di ,
★__ Garz islam me ye pehla laqab hai Jo Kisi Ko Mila ,Quresh me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu Ka martaba Bahut Buland tha ,Aap Bahut Khush Akhlaaq they , Quresh ke sardaaro me SE ek they ,Shareef ,Sakhi aur Daulatmand they , Rupiya Paisa Bahut Faraakh dili SE kharch Karte they, inki Qaum ke log inhe Bahut chahte they , Log inki Majlis me bethna Pasand Karte they, Apne zamane me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu Khwab ki tabeer batane me bahut maahir aur Mash'hoor they , Chunache Allama ibne Sireen Rehmatullah Kehte Hai'n:-
"_ Nabi Kareem ﷺ ke baad Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu is Ummat me Sabse Behatreen Tabeer batane wale Aalim Hai'n _,"
★_ Allam ibne Sireen Rehmatullah khwabo ki tabeer batane me bahut maahir they aur is Silsile me unki Kitaabe mojood Hai'n, Un Kitaabo me Khwabo ki Hairat angez tabeere darj Hai'n , Unki batayi hui tabeere bilkul durust Saabit Hoti rahi ,Matlab ye Hai k is maidaan ke maahir is bare me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ko Nabi Kareem ﷺ ke baad Sabse Behtar tabeer batane wale farma rahe Hai'n ,
"_Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu Nasab naama Bayan Karne me bhi Bahut maahir they balki Kaha jata hai k is ilm ke Sabse bade Aalim they, Hazrat Zuber bin Muta'am bhi is ilm ke maahir they, Wo farmate hai'n :-
"_ Maine Nasab naamo Ka fun aur ilm Khaas tor per Quresh ke Nasab naamo Ka ilm Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu se hi haasil Kiya hai , isliye k wo Quresh ke Nasab naamo ke Sabse bade Aalim they,
★_ Quresh ke logo ko koi Mushkil pesh aati to Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu SE raabta Karte they, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ke bare me Nabi Kareem ﷺ farmaya Karte they :-
"_ Maine jise bhi islam ki Dawat di Usne Kuchh na Kuchh Soch bichaar aur Kisi qadar waqfe ke baad islam qubool Kiya Sivaye Abu Bakar ke ,Wo bager Hichkichahat ke foran musalman ho gaye , Abu Bakar Sabse Behtar raay dene wale Hai'n, Mere Paas Jibraiyl Alaihissalam Aaye aur Unhone Kaha k Allah Ta'ala Aapko Hukm Deta Hai Apne mamlaat me Abu Bakar SE mashwara Kiya Kare'n _,"
★__ Nabi Kareem ﷺ ke liye Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu Wazeer ke darje me they , Aap har maamle me unse mashwara liya Karte they, Ek Hadees me aata hai , Nabi Akram ﷺ farmate hai'n :-
"_ Allah Ta'ala ne Meri madad ke liye Chaar Wazeer muqarrar farmaye Hai'n, inme SE Do Aasmaan walo me se Hai'n Yani Jibraiyl aur Mikaa'iyl ( Alaihissalam ) aur Do Zameen walo me se ek Abu Bakar aur Doosre Umar ( Raziyllahu anhum ) _,"
★_ Islam lane se Pehle Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne ek khwab dekha tha ,Khwab me Aapne Dekha k Chand Makka me utar Aaya hai aur Uska Ek ek hissa Makka ke har Ghar me dakhil ho gaya hai aur fir saara Ka saara Abu Bakar Raziyllahu anhu ki god me aa gaya, Aapne ye Khwab Ek iyasa'i Aalim ko sunaya ,Usne is Khwab ki ye Tabeer Bayan ki k Tum Apne Paigambar ki Pervi karoge Jiska Duniya intezar Kar rahi hai aur Jiske Zahoor Ka Waqt qareeb aa gaya hai aur ye k Perukaaro me SE Sabse zyada Khush Qismat insaan honge ,
★__ Ek rivayat ke mutabiq Aalim ne Kaha tha :- Agar tum Apna Khwab Bayan Karne me Sachche ho to Bahut jald Tumhare gaa'nv me se ek Nabi Zaahir honge, Tum us Nabi ki Zindgi me Uske Wazeer banoge aur unki wafaat ke baad unke khalifa honge _,"
★__ Kuchh arse baad Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ko Yaman Jane Ka ittefaq hua tha, Yaman me ye Ek Budhe Aalim ke Ghar thehre , Usne Aasmani Kitaabe padh rakhi thi , Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ko Dekh Kar Usne Kaha :- Mera khayal hai Tum Haram ke rehne wale ho aur Mera khayal hai Tum Quresh ho aur Taymi Khandaan se _,"
Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Jawab me farmaya:- Haa'n ! Tumne bilkul Theek Kaha _,"
Ab usne Kaha:- Mai'n Tumse Ek Baat aur Kehta Hu'n...tum Zara Apne pet per SE Kapda hata Kar dikha'o _,"
Hazrat Abu Bakar Siddiq uski Baat sun Kar Hairaan hue aur bole :- esa Mai'n us Waqt tak nahi karunga Jab tak k tum iski vajah Nahi bata doge _,"
Is per Usne Kaha :- Mai'n Apne mazboot ilm ki buniyad per Kehta Hu'n k Haram ke ilaaqe me Ek Nabi Ka Zahoor hone wala Hai, Unki madad Karne wala Ek Nojawan Hoga aur ek pukhta Umar wala Hoga , Jaha'n tak Nojawan Ka talluq hai Wo Mushkilaat me kood Jane wala Hoga , Jaha'n tak pukhta Umar ke Aadmi Ka talluq hai Wo Safed rang Ka Kamzor jism wala Hoga , Uske Pet per ek Baal daar Nishan Hoga ,Haram Ka rehne wala ,Taymi Khandaan Ka Hoga aur Ab ye zaroori nahi k tum mujhe Apna pet dikha'o Kyunki baqi sab Alaamate tumme mojood Hai'n ,
★_Uski is Baat per Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Apne pet per SE Kapda hataya , Waha'n unki naaf ke Ouper Syaah aur Safed Baalo wala Nishan mojood tha ,Tab Wo pukaar utha :- Parwardigaar e Kaaba ki qasam ! Tum Wohi ho _,"
╨─────────────────────❥
*┱✿_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu Ki Dawat -_,*
★__Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu Kehte Hai'n :- Jab Mai'n Yaman me Apni kharidari aur Tijarati Kaam Kar chuka to rukhsat hone ke Waqt Uske Paas Aaya , Usne mujhse Kaha - Meri taraf SE Chand Shayr sun lo Jo Maine us Nabi ki Shaan me kahe Hai'n ,
Is per Maine Kaha - Achchhi Baat hai sunao,
Tab Usne mujhe wo Shayr sunaye , Uske baad jab Mai'n Makka Muazzama pahuncha to Nabi Kareem ﷺ Apni Nabuwat Ka elaan Kar chuke they, Foran hi mere paas Quresh ke bade bade Sardaar Aaye ,Unme zyada Aham Uqba bin Abi Mu'iyt ,Shiba , Abu Jahal aur Abul Bakhtari they ,Un logo ne mujhse Kaha :-
"_ Ey Abu Bakar ! Abu Taalib ke Yateem ne Daava Kiya hai k wo Nabi Hai'n, Agar Aapka intezar na hota to hum is Waqt tak Sabr na Karte , Ab Jabki Aap aa gaye Hai'n unse nibatna Aap hi Ka Kaam hai _,"
★_ Aur ye Baat Unhone isliye kahi thi k Hazrat Abu Bakar Raziyllahu anhu Nabi Kareem ﷺ ke qareebi Dost they ,Abu Bakar Raziyllahu anhu farmate Hai'n k Maine Achchhe Andaz SE un logo ko Taal Diya aur khud Aapke Ghar pahunch Kar Darwaze per dastak di, Aap bahar Tashreef laye, Mujhe Dekh Kar Aapne irshad farmaya:-
"_ Ey Abu Bakar ! Mai'n Tumhari aur Tamaam insano ki taraf Allah Ka Rasool Bana Kar bheja gaya Hu'n , isliye Allah Ta'ala per imaan le aao _"
Aapki Baat sun Kar Maine Kaha :- Aapke pass is Baat Ka saboot hai ?
Aapne Meri Baat sun irshad farmaya :- Us Budhe ke wo Shayr Jo Usne Aapko sunaye they _,"
Ye sun Kar Mai'n Hairaan reh gaya aur Bola :- mere dost ! Aapko unke bare me kisne bataya ?
Aap ne irshad farmaya:- us Azeem Farishte ne Jo mujhse Pehle bhi Tamaam nabiyo'n ke paas aata raha Hai _,"
Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne arz Kiya:- Apna Haath laiye ! Mai'n Gawahi deta Hu'n k Allah Ke Siva koi Ma'abood nahi aur ye k Aap Allah Ke Rasool Hai'n _,"
★_ Aap ﷺ mere imaan lane per Bahut Khush hue ,Mujhe Seene se lagaya ,Fir Kalma padh Kar Mai'n Aapke paas se waapas aa gaya ,
Musalman hone ke baad Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Jo Sabse Pehla Kaam Kiya Wo tha islam ki tablig , Unhone Apne jaanne walo ko islam Ka Paigaaam diya ,Unhe Allah aur Uske Rasool ki taraf bulaya , Chunache unki tablig ke natije me Hazrat Usman bin Affaan Raziyllahu anhu musalman hue , Hazrat Usman Raziyllahu anhu ke musalman hone ki khabar unke Chacha Hakam ko hui to Usne Unhe Pakad liya aur Kaha :- Tu Apne Baap Dada Ka Deen Chhod Kar Muhammad Ka Deen qubool karta Hai, Allah ki qasam ! Mai'n tujhe us Waqt tak nahi chhodunga jab tak k Tu is Deen ko nahi chhodega _,"
Uski Baat sun Kar Hazrat Usman Gani Raziyllahu anhu ne farmaya :- Allah ki qasam! Mai'n is Deen ko Kabhi nahi chhodunga _,"
Unke Chacha ne jab unki pukhtgi aur Saabit qadmi dekhi to Unhe Dhu'nve me khada Kar Ke takaleef pahunchayi ,Hazrat Usman Raziyllahu anhu Saabit qadam rahe ,Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ki fazilat me Ek Hadees me Aaya hai k Nabi Kareem ﷺ ne farmaya :-
"_ Jannat me Har Nabi Ka Ek Rafeeq Yani Sathi hota hai aur mere Sathi waha'n Usman bin Affaan honge _,"
★__ Hazrat Abu Bakar Raziyllahu anhu ne islam ki tablig jari rakhi ,Aapki Koshish se Hazrat Usman Raziyllahu anhu ke baad Hazrat Zuber bin Awaam Raziyllahu anhu bhi musalman ho gaye, Us Waqt unki Umar 8 Saal thi, Isi Tarah Hazrat Abdurrahmaan bin Auf bhi Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ki Koshish se musalman hue, Jahiliyat ke zamane me inka naam Abdul Al Ka'aba tha ,Nabi Kareem ﷺ ne Aapka Naam Abdurrahmaan rakha ,Ye Abdurrahmaan bin Auf Raziyllahu anhu Kehte Hai'n :-
"_ Umayya ibne Khalf Mera dost tha, Ek Roz Usne mujhse Kaha - Tumne us Naam ko Chhod diya Jo Tumhare Baap ne rakha tha_,"
Jawab me Maine Kaha :- Haa'n ! Chhod diya _,"
Ye sun Kar wo Bola :- Mai'n Rehman ko nahi jaanta , isliye Mai'n Tumhara Naam Abd ilaala rakhta Hu'n _," Chunache mushrik us Roz se mujhe Abd ilaala keh Kar pukaarne lage _,
★_ Hazrat Abdurrahmaan bin Auf Raziyllahu anhu Apne islam lane Ka Waqia is Tarah Bayan karte Hai'n :-
"_ Mai'n Aksar Yaman Jaya karta tha,Jab bhi waha'n jata Askaan bin Awakif Hamiri ke Makaan per thehra karta tha aur jab bhi Uske Yaha'n jata Wo mujhse puchha karta tha, Kya Wo Shakhs tum logo me Zaahir ho gaya hai Jiski Shohrat aur charche Hai'n , Kya Tumhare Deen ke maamle me Kisi ne mukhalfat ka elaan Kiya hai, Mai'n Hamesha Yaha Kaha karta tha k Nahi ,Esa koi Shakhs Zaahir nahi hua , Yaha'n tak k wo Saal aa gaya Jisme Nabi Kareem ﷺ Ka Zahoor hua , Mai'n us Saal Yaman gaya to usi ke Yaha'n thehra ,Usne Yahi Sawal puchha ,Tab Maine use bataya :- Haa'n unka Zahoor ho gaya hai, Unki mukhalfat bhi ho rahi hai _,"
★_ Hazrat Abdurrahmaan bin Auf ke bare me Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya :- Tum Zameen walo me bhi Amanatdaar ho aur Aasman walo me bhi _,"
★__ Hazrat Abdurrahmaan bin Auf Raziyllahu anhu ke baad Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyllahu anhu ko bhi islam ki Dawat di, Unhone koi Hichkichahat Zaahir na ki foran Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke paas chale Aaye ,Aapse Aapke Paigaaam ke bare me puchha , Aap ﷺ ne Unhe bataya to ye usi Waqt musalman ho gaye, Us Waqt inki Umar 19 Saal thi, Ye Bani Zohra ke khandaan SE they , Aap ﷺ ki Waalda Majida Aamna bhi us khandaan se thi , Isliye Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyllahu anhu Huzoor Akram ﷺ ke Maamu kehlate they , Aapne Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyllahu anhu ke liye ek Baar farmaya :-
"_ Ye mere Maamu Hai'n, Hai Koi Jiske ese Maamu ho _,"
★_ Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyllahu anhu Jab islam laye aur unki Walda ko inke musalman hone Ka pata Chala to ye Baat Unhe Bahut nagawaar guzri , idhar ye Apni Walda ke Bahut farma bardaar they , Walda ne inse kaha :- Kya tum ye nahi samajhte k Allah Ta'ala ne tumhe Apne Bado ki Khatir daari aur Maa'n Baap ke Saath achcha maamla Karne Ka Hukm diya hai_,"
Hazrat Sa'ad Raziyllahu anhu ne Jawab diya :- Haa'n bilkul esa hi hai _,"
Ye Jawab sun Kar Walda ne Kaha:- Bas to khuda ki qasam Mai'n us Waqt tak Khana nahi khaungi jab tak Muhammad ke laye hue Paigaaam ko kufr nahi kahoge aur Asaaf aur Naa'ela Buto'n ko ja Kar chhuoge nahi _,"
★_ Us Waqt ke Mushrikeen Ka tareeqa ye tha k Wo in Buto'n ke Khule moonh me Khana aur Sharaab daala Karte they, Ab Walda ne Khana Pina Chhod diya, Hazrat Sa'ad Raziyllahu anhu ne Apni Walda se Kaha :-
"_ Khuda ki qasam Maa'n, Tumhe nahi Maloom ,Agar Tumhare paas Ek hazaar zindgiya'n hoti aur Wo sab ek ek Kar Ke is vajah se Khatm Hoti tab bhi Mai'n Nabi Kareem ﷺ ke Deen ko hargiz na chhodta , isliye ab ye Tumhari marzi hai Khao ya na Khao _,"
★_ Jab Maa'n ne inki ye mazbooti dekhi to Khana shuru Kar diya, taham Usne ab Ek aur Kaam darwaze per aa gayi aur Cheekh Cheekh Kar Kehne lagi :- Kya mujhe ese madadgaar nahi mil sakte Jo Sa'ad ke maamle me Meri madad kare Taki Mai'n ise Ghar me Qaid Kar du aur Qaid ki Haalat me ye mar Jaye ya Apne naye Deen ko Chhod de _,"
Hazrat Sa'ad farmate hai'n, Maine ye Alfaz sune to Maa'n SE Kaha :- Mai'n Tumhare Ghar Ka rukh bhi nahi karunga _,"
★__ Iske baad Hazrat Sa'ad Raziyllahu anhu Kuchh din tak Ghar na gaye , Walda tang aa gayi aur Usne Paigaaam bheja :- Tum Ghar aa jao ,doosro ke mehmaan ban Kar Hume sharminda na karo _,"
Chunache ye Ghar chale Aaye , Ab Ghar walo ne pyaar v Muhabbat se samjhana shuru Kiya, Wo unke Bhai Aamir ki misaal de Kar Kehte :- Dekho Aamir Kitna Achchha hai ,isne Apne Baap Dada Ka Deen nahi chhoda _,"
Lekin fir inke Bhai Aamir bhi Musalman ho gaye, Ab to Walda ke gaiz v gazab ki inteha na thi ,
★_ Maa'n ne Dono Buraiyo'n ko Bahut takaleef pahunchayi, Aakhir Aamir Raziyllahu anhu tang aa Kar Habsha ki Hijrat Kar gaye , Aamir Raziyllahu anhu ke Habsha Hijrat Kar Jane se Pehle Ek Roz Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyllahu anhu Ghar Aaye to Dekha Maa'n aur Aamir Raziyllahu anhu ke Charo taraf Bahut saare log Jama Hai'n, Maine puchha :- Log kyu Jana Hai'n ?
Logo ne bataya :- Ye Dekho Tumhari Maa'n ne Tumhare Bhai ko Pakad rakha hai aur Allah se Ahad Kar rahi hai k jab tak Aamir Be-Deeni nahi chhodega us Waqt tak ye na to khajoor ke saaye me bethegi aur na Khana khayegi aur na Pani piyegi _,"
Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyllahu anhu ne ye sun Kar Kaha :- Allah ki qasam ! Tum us Waqt tak khajoor ke saaye me na Betho aur us Waqt tak Kuchh na Khao piyo ,Jab tak k tum jahannam Ka iydhan na ban jao _,"
★_ Garz Unhone Maa'n ki koi Parwaah na ki aur Deen per date rahe , Isi Tarah Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ki Koshisho SE Hazrat Talha Taymi Raziyllahu anhu bhi islam le Aaye, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu inhe Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me laye aur ye Aapke Haath per musalman hue, iske baad Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu aur Hazrat Talha Raziyllahu anhu ne Apne islam lane Ka khul Kar elaan Kar diya , Inka elaan sun Kar Nofil ibne Udviya ne inhe Pakad liya , Us Shakhs ko Quresh Ka Sher Kaha jata tha, Usne Dono ko ek hi rassi SE baandh diya , Uski is Harkat per unke Qabile Banu Tameem ne bhi inhe na bachaya ,Ab chunki Nofil ne Dono ko ek hi rassi SE baandh diya tha aur Dono ke jism Aapas me bilkul mile hue they isliye inhe qarineen Kaha Jane laga ,Yani mile hue _,"
Nofil bin Udviya ke zulm ki vajah se Nabi Kareem ﷺ farmaya Karte they :- Ey Allah ! ibne Udviya ke Shar SE Hume bacha _,"
★_ Hazrat Talha Raziyllahu anhu Apne islam qubool Kar Lene Ka sabab is Tarah Bayan karte Hai'n :-
"_ Mai'n Ek martaba Basra ke Bazaar me gaya ,Maine waha'n Ek Raahib ko dekha Wo Apni Khanqah me khada tha aur Logo'n se keh raha tha :- is martaba Hajj SE Aane walo se puchho ,kya inme koi haram Ka Bashinda bhi hai ?"
Maine aage bad Kar Kaha - Mai'n Hu'n Haram Ka rehne wala _,"
Mera Jumla sun Kar Usne Kaha - kya Ahmad Ka Zahoor ho gaya hai ?"
Maine puchha - Ahmad Kaun ?"
Tab us Raahib ne Kaha :- "_ Ahmad bin Abdullah bin Abdul Muttalib...Ye uska Mahina hai , Woh is mahine me Zaahir Hoga ,Woh Aakhri Nabi hai , Uske Zaahir hone ki Jagah Haram hai aur uski Hijrat ki Jagah Wo ilaaqa hai Jaha'n Bagaat Hai'n ,Sabza Zaar Hai'n , isliye tum per zaroori hai k tum us Nabi ki taraf badhne me pehal Karo _,"
Us Raahib ki Kahi hui Baat mere Dil me naqsh ho gayi , Mai'n Tezi ke Saath waha'n se waapas rawana hua aur Makka Pahuncha _,"
★__ Yaha'n pahunch Kar Maine logo se Puchha :- Kya koi Naya Waqia bhi pesh Aaya hai ?"
Logo ne bataya :- Haa'n ! Muhammad bin Abdullah Ameen ne logo ko Allah ki taraf Dawat dena shuru ki hai ,Abu Bakar ne unki Pervi qubool Kar li hai _,"
Mai'n ye Sunte hi Ghar SE Nikla aur Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ke paas pahunch gaya, Maine Unhe Raahib ki Saari Baat Suna di ,Saari Baat sun Kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me gaye aur Aapko ye Poora Waqia sunaya, Aap sun Kar Bahut Khush hue, Usi Waqt Mai'n bhi Musalman ho gaya _,"
Ye Hazrat Talha Raziyllahu anhu Asra Mubashshara me SE Hai'n ,Yani Jin Sahab Kiraam Raziyallahu Anhum ko Nabi Kareem ﷺ ne Duniya hi me Jannat ki basharat di , unme se ek Hai'n ,:
★_ Is Tarah Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ki Koshish se Jin Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne Kalma padha Unme se Paanch Ashra Mubashshara me Shamil Hai'n , Wo ye Hai'n - Hazrat Zuber , Hazrat Usman ,Hazrat Talha ,Hazrat Abdurrahmaan , Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyllahu Anhum , Baaz ne inme Chhate Sahabi Ka bhi izafa Kiya hai, Wo Hai'n- Hazrat Abu Ubaida bin Jarrah Raziyllahu anhu,
★_ In Hazraat me Hazrat Abu Bakar,Hazrat Usman ,Hazrat Abdurrahmaan aur Hazrat Talha Raziyllahu Anhum Kapde ke Taajir they, Hazrat Zuber Raziyllahu anhu Jaanwar Zibah Karte they aur Hazrat Sa'ad Raziyllahu anhu Teer banane Ka Kaam Karte they,
★_ Inke baad Hazrat Abdullah ibne Masoud Raziyllahu anhu imaan laye ,Wo Apne islam lane Ka Waqia Yu'n Bayan karte Hai'n :-
"_ Mai'n Ek din Uqba bin Abi Mu'iyt ke khandaan ki Bakriya'n chara raha tha, Us Waqt Rasulullah ﷺ waha'n aa gaye , Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu bhi Aapke Saath they ,Aapne puchha :- Kya Tumhare paas Doodh hai ?
Maine Kaha - Ji Haa'n ! Lekin Mai'n to Ameen Hu'n ( Yani ye Doodh to Amaanat hai ) ,
Aapne farmaya:- Kya Tumhare paas koi esi Bakri hai Jisne abhi koi Bachcha na diya ho ?
Maine Kaha- Ji Haa'n! Ek Esi Bakri hai _,"
Mai'n us Bakri ko Aapke qareeb le Aaya ,Uske Abhi than Poori Tarah nahi nikle they , Aapne uski thano ki Jagah per Haath faira, Usi Waqt us Bakri ke Than Doodh SE Bhar gaye _,
★_ Ye Waqi'a doosri Rivayat me Yu'n Bayan hua hai k Us Bakri ke Than Sookh chuke they, Aap ﷺ ne un per Haath faira to Wo Doodh SE Bhar gaye,
★__ Hazrat Abdullah ibne Masoud Raziyllahu anhu ye dekh Kar Hairaan ho gaye ,Wo Aapko ek saaf patthar tak le Aaye , Waha'n Beth Kar Aap ﷺ ne Bakri Ka Doodh Doha , Aapne Wo Doodh Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ko pilaya ,Fir Mujhe pilaya aur Aakhir me Aapne khud piya ,Fir Aapne Bakri ke Than SE farmaya :- Simat Ja _,"
Chunache Than foran hi fir wese ho gaye Jese pehle they _,"
★__ Hazrat Abdullah ibne Masoud Raziyllahu anhu farmate Hai'n :- Jab Maine Rasulullah ﷺ Ka ye Mo'jza dekha to Aapse arz Kiya- Ey Allah ke Rasool ! Mujhe iski Haqiqat bataye'n _,"
Aapne ye sun Kar mere Sar per Haath faira aur farmaya :- Allah tum per Raham farmaye Tum to Jaankaar ho _,"
★__ Ye Abdullah bin Masoud Baap ki Bajaye Maa'n ki taraf se zyada Mash'hoor they , Inki Maa'n Ka Naam Umme Abd tha , inka was Bahut Chhota tha ,Nihayat duble patle they , Ek martaba Sahaba in per Hansne lage to Aap ﷺ ne irshad farmaya :-
"_ Abdullah Apne martabe ke lihaaz se tarazu me Sabse bhaari hai _,"
Inhi ke bare me Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya tha :-
"_ Apni Ummat ke liye Mai'n bhi usi cheez per Raazi Ho gaya jis per ibne Umme Abd Yani Abdullah ibne Masoud Raazi ho gaye aur jis cheez ko Abdullah bin Masoud ne Ummat ke liye na-gawaar samjha , Maine bhi usko na-gawaar samjha _,"
★__ Aap ﷺ inki Bahut izzat Karte they, inhe Apne qareeb bithaya Karte they, inse Kisi Ko chhupaya nahi Karte they, isliye ye Aapke Ghar me aate Jate they, Ye Nabi Kareem ﷺ ke aage aage ya Saath Saath Chala Karte they, Aap jab Gusl farmate to ye hi Parde ke liye Chaadar taan Kar khade Hote they, Aap jab so jate to ye hi Aapko Waqt per jagaya Karte they, isi Tarah jab Aap Kahi Jane ke liye khade Hote they to Hazrat Abdullah ibne Masoud Raziyllahu anhu Aapko joote pehnate they , Fir jab Aap Kahi pahunch Kar beth jate to ye Aapke joote utha Kar Apne Haath me le liya Karte they, inki inhi baato ki vajah se Baaz Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum me Mash'hoor tha k ye Rasulullah ﷺ ke gharane walo me se Hai'n , inhe Aap ﷺ ne Jannat ki basharat di thi _,"
★_ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu anhu farmaya Karte they :-
"_ Duniya Tamaam ki Tamaam Gamo'n ki poonji hai ,isme agar koi Khushi hai to Wo Sirf Waqti faayde ke tor per hai _,"
★_ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu anhu ke baad Hazrat Abuzar Gafaari Raziyllahu anhu imaan laye, Hazrat Abuzar Gafaari Raziyllahu anhu Apne islam lane Ka Waqia Bayan karte hue farmate hai'n :-
"_ Aan'Hazrat ﷺ per wahi Aane se bhi teen Saal Pehle SE Mai'n Allah Ta'ala ke liye Namaz padha karta tha aur jis Taraf Allah Ta'ala Mera rukh Kar dete , Mai'n us taraf chal padta tha , Usi zamane me Hume Maloom hua k Makka Muazzama me Ek Shakhs Zaahir hua hai, Uska Daava hai k wo Nabi hai , Ye sun Kar Maine Apne Bhai Anees SE Kaha - Tum us Shakhs ke paas Ja'o,usse Baat cheet Karo aur aa Kar mujhe is Baat cheet ke bare me bata'o _,"
★__ Chunache Anees ne Nabi Kareem ﷺ SE Mulaqaat ki ,Jab wo waapas Aaye to Maine Aap ﷺ ke bare me puchha , Unhone bataya :-
"__ Allah ki qasam ! Maine Ek ese Shakhs ke paas aa raha Hu'n Jo Achchhaiyo'n Ka Hukm Deta Hai AUR Buraiyo'n SE rokta hai _,
aur ek rivayat me hai k Maine tumhe usi Shakhs ke Deen per paya hai , Uska Daava hai k Use Allah ne Rasool Bana Kar bheja hai, Maine us Shakhs ko dekha k wo neki aur Buland Akhlaaq ki taleeem deta hai _,"
Maine puchha - log Uske bare me Kya Kehte Hai'n ?
Anees ne bataya :-. Log Uske bare me Kehte Hai'n k ye Kaahin aur Jadugar hai Magar Allah ki qasam wo Shakhs sachcha hai aur Wo log jhoote Hai'n _,"
Ye Tamaam baate sun Kar Maine Kaha - Bas Kaafi hai, Mai'n khud ja Kar unse milta Hu'n _,"
Anees ne foran Kaha - Zaroor ja Kar Milo Magar Makka walo se Bach Kar rehna _,"
★_ Chunache Maine Apne moze pehne ,Laathi Haath me li aur rawana ho gaya, Jab Mai'n Makka pahuncha to Maine Logo'n ke Saamne esa Zaahir Kiya jese Mai'n us Shakhs ko jannta hi nahi aur Uske bare me puchhna bhi Pasand nahi karta , Mai'n Ek maah tak Masjide Haraam me thehra raha ,Mere Paas Sivaye Zamzam Ke khane ko Kuchh Nahi tha ,Iske bavjood Mai'n Zamzam ki Barkat SE mota ho gaya , Mere Pet ki Silwate Khatm ho gayi, Mujhe Bhook Ka bilkul ahsaas nahi hota tha , Ek Raat jab Haram me koi Tawaaf Karne wala nahi tha ,Allah Ke Rasool ﷺ Ek saathi ( Abu Bakar Raziyllahu anhu ) ke Saath waha'n Aaye aur Betullaah Ka tawaaf Karne lage ,Iske baad Aapne aur Aapke Saathi ne Namaz padhi ,Jab Aap Namaz SE Faarig ho gaye to Mai'n Aapke Nazdeek Chala gaya aur Bola :-
"_ Assalamu Alaikum Ya Rasulallah , Mai'n Gawahi deta Hu'n k Allah Ta'ala ke Siva koi ibaadat ke laa'iq nahi aur ye k Muhammad ﷺ Allah Ke Rasool Hai'n _,"
★__ Maine mm mehsoos Kiya Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke chehre per Khushi ke Asaar namudaar ho gaye, Fir Aapne mujhse puchha :- Tum kon ho ?
Maine Jawab me Kaha :- Ji Mai'n Gafaar Qabile Ka Hu'n ,
Aapne puchha- Yaha'n kabse Aaye hue ho ?
Maine arz Kiya- Tees Din aur Tees Raato SE Yaha'n Hu'n ,
Aapne puchha - Tumhe Khana kon khilata hai ?
Maine arz Kiya- mere paas Sivaye Zamzam Ke koi Khana nahi, isko pi pi Kar mota ho gaya Hu'n , Yaha'n tak k mere Pet ki Silwate tak Khatm ho gayi Hai'n aur mujhe Bhook Ka bilkul ahsaas nahi hota_,"
Aapne farmaya:- Mubarak ho ,Ye Zamzam Behatreen Khana aur Har Bimaari ki Dava hai _,"
★_ Zamzam Ke bare me Ahadees me aata hai, Agar tum Aabe Zamzam ko is niyat SE piyo k Allah Ta'ala tumhe iske zariye Bimariyo'n SE shifa ata farmaye to Allah Ta'ala shifa ata farmata hai aur agar is niyat SE piya Jaye k iske zariye Pet Bhar Jaye aur Bhook na rahe to Aadmi shikam Sher ho jata hai aur agar is niyat SE piya Jaye k Pyaas Ka Asar baqi na rahe to Pyaas Khatm ho Jati Hai, iske zariye Allah Ta'ala ne isma'iyl Alaihissalam ko Sairaab Kiya tha ,
Ek Hadees me aata hai k Ji Bhar Kar Zamzam Ka Pani Pina Apne Aapko nifaaq SE door Karna Hai,
Aur ek Hadees me hai k Humme aur munafiqo me ye Farq hai k wo log Zamzam SE Sairaabi haasil Nahi Karte _,"
★_ Haa'n to Baat ho rahi thi Abuzar Gafaari Raziyllahu anhu ki ...Kaha jata hai k Abuzar Gafaari Islam me Pehle Aadmi Hai'n Jinhone Aap ﷺ ki islami Salaam ke Alfaz ke mutabiq salaam Kiya , inse Pehle Kisi ne Aap ﷺ ko in Alfaz me salaam nahi Kiya tha_,"
Ab Abuzar Raziyllahu anhu ne Aap ﷺ SE is Baat per bayt ki k Allah Ta'ala ke maamle me wo Kisi malamat karne wale ki malamat SE nahi ghabrayenge aur ye k Hamesha Haq aur Sachchi Baat kahenge Chahe Haq sunne wale ke liye Kitna hi Kadwa kyu na ho _,"
★__ Ye Hazrat Abuzar Raziyllahu anhu Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ki wafaat ke baad Mulke Shaam ke ilaaqe me Hijrat Kar gaye they ,Fir Hazrat Usman Raziyllahu anhu ki khilafat me inhe Shaam SE waapas bula liya gaya aur fir ye Rabza ke Muqaam per aa Kar rehne lage they , Rabza ke Muqaam per hi inki wafaat hui thi _,
★__ inke imaan lane ke bare me Ek rivayat ye Hai k jab ye Makka Muazzama Aaye to inki Mulaqaat Hazrat Ali Raziyllahu anhu se hui thi aur Hazrat Ali Raziyllahu anhu ne inko Aap ﷺ SE milwaya tha _,"
★__ Abuzar Raziyllahu anhu Kehte Hai'n:- Bayt Karne Ke baad Nabi Kareem ﷺ inhe Saath le gaye ,Ek Jagah Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne ek Darwaza khola ,Hum andar dakhil hue ,Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Hume Angoor pesh kiye ,is Tarah ye pehla Khana tha Jo Maine Makka me Aane ke baad Khaya _,"
Iske baad Nabi Akram ﷺ ne inse farmaya:- Ey Abuzar is maamle ko abhi chhupaye rakhna ,ab to tum Apni Qaum me waapas jao aur Unhe bata'o Taki Wo log mere paas aa sake ,Fir jab tumhe Maloom ho k Humne khud Apne maamle Ka khullam khulla elaan Kar diya hai to us Waqt tum Hamare paas aa Jana _,"
★__ Aap ﷺ ki Baat sun Kar Hazrat Abuzar Gafaari Raziyllahu anhu bole :- Qasam hai us zaat ki Jisne Aapko Sachchayi de Kar bheja , Mai'n un logo ke darmiyaan khade ho Kar pukaar pukaar Kar elaan karunga _,"
Hazrat Abuzar Raziyllahu anhu Kehte Hai'n- Mai'n imaan lane wale Dehaati logo me SE Paanchva Aadmi tha _,"
Garz Jis Waqt Quresh ke log Haram me Jama hue , inhone Buland Awaaz me chilla Kar Kaha :- Mai'n Gawahi deta Hu'n Sivaye Allah Ta'ala ke koi Ma'abood nahi aur Mai'n Gawahi deta Hu'n k Muhammad ﷺ Allah Ta'ala ke Rasool Hai'n _,"
★_ Buland Awaaz me ye Elaan sun Kar Qureshiyo ne Kaha :- is bad deen ko Pakad lo _,"
Unhone Hazrat Abuzar Raziyllahu anhu ko Pakad liya aur be inteha maara ,Ek rivayat me Alfaz ye Hai'n, Wo log in per Chad daude , Poori Quwwat se inhe maarne lage Yaha'n tak k ye behosh ho Kar gir pade , Us Waqt Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu darmiyaan me aa gaye ,Wo in per jhuk gaye aur Qureshiyo SE Kaha :- Tumhara Bura ho ! Kya tumhe Maloom nahi k ye Shakhs Qabila Gafaar se hai inka ilaaqa Tumhari Tijarat Ka Raasta hai _,
★__ unke Kehne Ka Matlab ye tha k Qabila Gafaar ke log Tumhara Raasta band Kar denge , is per un logo ne inhe Chhod diya _,"
Abuzar Raziyllahu anhu farmate Hai'n- iske baad Mai'n Zamzam Ke Kunve ke paas Aaya, Apne badan SE Khoon dhoya ,Agle Din Maine fir elaan Kiya :- Mai'n Gawahi deta Hu'n k Allah Ke Siva koi ibaadat ke laa'iq nahi aur Muhammad ﷺ Allah Ke Rasool Hai'n_,"
★__ Unhone fir mujhe maara ,Us Roz bhi Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu hi ne mujhe unse chhudaya , fir Mai'n waha'n se waapas hua aur Apne Bhai Anees ke paas Aaya ,
📕_ Seeratun Nabi ﷺ_Qadam Ba Qadam ( Writer- Abdullah Farani ),,*
╨─────────────────────❥
★__ Abuzar Gafaari Raziyllahu Anhu Ki Apni Qaum Ko Dawat _,*
★__ Anees ne mujhe Kaha - Tum Kya Kar Aaye ho ?
Maine Jawab diya- Musalman ho gaya Hu'n aur Maine Muhammad ﷺ ki tasdeeq kar di hai ,
Is per Anees ne Kaha- Mai'n bhi Buto'n se bezaar Hu'n aur islam qubool Kar chuka Hu'n,
Iske baad hum Dono Apni Walda ke paas Aaye to Wo Boli :- Mujhe pichhle Deen SE koi dilchaspi nahi rahi , Mai'n bhi islam qubool Kar chuki Hu'n , Allah Ke Rasool ﷺ ki tasdeeq Kar chuki Hu'n ,
★_ Iske baad hum Apni Qaum Gifaar ke paas Aaye ,Unse Baat ki ,Unme SE Aadhe to usi Waqt musalman ho gaye,Baqi logo ne Kaha- Jab Rasulullah ﷺ Tashreef layenge hum us Waqt musalman honge , Chunache jab Rasulullah ﷺ Madina munavvara Tashreef laye to Qabila Gifaar ke baqi log bhi musalman ho gaye ,
"_ In Hazraat ne Jo ye Kaha tha k Jab Rasulullah ﷺ Tashreef layenge hum us Waqt musalman honge to unke ye Kehne ki vajah ye thi k Nabi Kareem ﷺ ne Makka me Hazrat Abuzar Gafaari Raziyllahu anhu se irshad farmaya tha :-
"_ Mai'n nakhlistaan Yani Khajooro ke baag ki sarzameen me jaunga Jo Yasrib ke Siva koi nahi hai , To Kya tum Apni Qaum Ko ye Khabar pahunchaoge , Mumkin hai is Tarah Tumhare zariye Allah Ta'ala un logo ko faayda pahuncha de aur tumhe unki vajah se Ajr mile _,"
★__ Iske baad Nabi Kareem ﷺ ke paas Qabila Aslam ke log Aaye , Unhone Aapse arz Kiya :- Ey Allah ke Rasool ! Hum bhi isi Baat per musalman Hote Hai'n Jis per Hamare Bhai Qabila Gifaar ke log musalman hue_,"
Nabi Akram ﷺ ne ye sun Kar farmaya - Allah Ta'ala Gifaar ke logo ki magfirat farmaye aur Qabila Aslam ko Allah Salamat rakhe _,"
★_ Ye Abuzar Gafaari Raziyllahu anhu Ek martaba Hajj Ke liye Makka gaye , Tawaaf ke Dauraan Kaabe ke paas thehar gaye , Log unke Chaaro taraf Jama ho gaye , Us Waqt Unhone logo se Kaha :- Bhala bata'o ! Tumme se koi Safar me jane Ka iraada karta Hai to kya Wo Safar Ka Samaan Saath nahi leta ?
Logo'n ne Kaha - Beshak Saath leta hai ,
Tab Aapne farmaya :- To fir Yaad rakho ! Qayamat Ka Safar Duniya ke har Safar SE Kahi'n zyada lamba hai aur Jiska tum Yaha'n iraada Karte ho ,isiliye Apne Saath us Safar Ka wo Samaan le lo Jo tumhe faayda pahunchaye _,"
Logo'n ne Puchha :- Hume kya cheez faayda pahunchayegi ?
Hazrat Abuzar Gafaari Raziyllahu anhu bole :- Buland Maqsad ke liye Hajj Karo , Qayamat ke Din Ka Khayal Kar Ke ese Dino'n me Roze rakho Jo sakht Garmi ke din honge aur Qabr ki wehshat aur Andhere Ka khayal Karte hue ,Raat ki Tareeki me uth Kar Namaze Padho _,"
╨─────────────────────❥
★_ Hazrat Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu Ka Khwab_,*
★__ Hazrat Abuzar Gafaari Raziyllahu anhu ke baad Hazrat Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu imaan laye ,Kaha jata hai, Dehaat ke logo me SE musalman hone walo me ye Teesre ye chothe Aadmi they , Ek Qaul ye Hai k Paanchve they ,Ye Apne Buraiyo'n me Sabse Pehle musalman hue,
★_ Inke islam lane Ka Waqia Yu'n hai k inhone Khwab me jahannam ko dekha, Uski Aag Bahut Khofnaak Andaz me bhadak rahi thi ,Ye khud jahannam ke kinaare khade they , Khwab me inhone dekha k inka Baap inhe jahannam me dhakelna Chahta hai Magar Nabi Kareem ﷺ inka Daaman Pakad Kar inhe Dozakh me girne SE rok rahe Hai'n, Us Waqt ghabrahat ke Aalam me inki Aankh khul gayi , inhone foran Kaha :- Mai'n Allah ki qasam kha Kar Kehta Hu'n k ye Khwab sachcha hai _,"
★__ Saath hi inhe Yaqeen ho gaya k Jahannam SE inhe Rasulullah ﷺ hi bacha sakte Hai'n, Foran Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ke paas Aaye, Unhe Apna Khwab sunaya , Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne farmaya :- is Khwab me Tumhari Bhala'i aur Khayr Poshida hai , Allah Ke Rasool mojood Hai'n, Unki Pervi Karo _,"
★__ Chunache Hazrat Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu foran hi Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me Haazir hue, Unhone Aap ﷺ SE Puchha :- Ey Muhammad ! Aap kis Baat ki Dawat dete Hai'n_,"
Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Mai'n is Baat ki Dawat Deta Hu'n k Allah Ek hai ,Uska koi Shareek nahi, Koi Uske barabar Ka nahi aur ye k Muhammad Allah Ke Bande aur Rasool Hai'n aur tum Jo ye Pattharo ki ibaadat Karte ho Usko Chhod do ,Ye Patthar na Sunte Hai'n aur na faayda pahuncha sakte Hai'n _,"
Ye Sunte hi Hazrat Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu musalman ho gaye ,:
★__ inke Waalid Ka Naam Saied bin Aas tha ,Use Bete ke islam qubool Karne Ka pata Chala to Aag baboola ho gaya, Bete ko Kode SE maarna shuru Kiya Yaha'n tak k itne Kode maare k Koda toot gaya , Fir usne Kaha :-
"_ Tune Muhammad ki Pervi ki Halanki Tu Jaanta hai Wo Poori Qaum ke khilaf ja raha Hai, Wo Apni Qaum ke Ma'aboodo ko Bura Kehta hai _,"
Ye sun Kar Hazrat Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu bole :- Allah ki qasam! Wo Jo Paigaaam le Kar Aaye Hai'n Maine usko qubool Kar liya hai _,"
Is Jawab per Wo aur Gazabnaak hua aur Bola :- Khuda ki qasam ! Mai'n tera Khana Pina band Kar dunga _,"
Hazrat Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu ne Jawab diya :- Agar Aap Mera Khana Pina band Kar denge to Allah Ta'ala mujhe Roti dene wala Hai _,"
★__ Tang aa Kar Saied ne Bete ko Ghar SE nikaal diya Saath hi Apne baqi Beto SE Kaha :- Agar tumme se Kisi ne bhi isse Baat cheet ki , Mai'n Uska bhi Yahi hashr karunga _,"
Hazrat Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu Ghar SE Nikal Kar Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me aa gaye ,Iske baad wo Aapke Saath hi rehne lage ,Baap SE bilkul be talluq ho gaye, Yaha'n tak k Jab Musalmano ne Kaafiro ke mazalim SE tang aa Kar Habsha ki taraf Hijrat ki to ye Hijrat Karne walo me se Pehle Aadmi they
★__ Ek martaba inka Baap bimaar hua ,Us Waqt Usne qasam khayi ,Agar khuda ne mujhe is bimaari SE sahat de di to Mai'n Makka me Kabhi Muhammad ke khuda ki ibaadat nahi hone dunga _,"
Baap ki ye Baat Hazrat Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu tak pahunchi to unhone Kaha :- Ey Allah use is marz se Kabhi nijaat na dena ,
Chunache inka Baap usi marz me mar gaya ... Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu Pehle Aadmi Hai'n Jinhone Bismillahir Rahmaanir Raheem likhi _,"
★__ inke baad inke Bhai Amru bin Saied Raziyllahu Anhu musalman ho gaye, Unke musalman hone Ka sabab ye hua k inhone Khwab me Ek Noor Dekha .. Noor Zamzam Ke paas se nikla aur usse Madina ke Baag tak Roshan ho gaye aur itne Roshan hue k unme Madina ki taza khajoore nazar aane lagi , Inhone ye Khwab Logo'n se bayan kiya to inse Kaha gaya - Zamzam Abdul Muttalib ke khandaan Ka Ku'nwa hai aur ye Noor bhi usi unhi me se Zaahir Hoga ,Fir jab inke Bhai Khalid Raziyllahu Anhu musalman ho gaye to inhe Khwab ki Haqeeqat Nazar Aane lagi , Chunache ye bhi Musalman ho gaye ,
★_ Inke alawa Saied ki Aulaad me se Rayaan aur Hakam bhi Musalman hue ,Hakam Ka Naam Nabi Kareem ﷺ ne Abdullah rakha _,
★__ Isi Tarah ibtedayi Dino me Musalman hone walo me Hazrat Suheb Raziyllahu Anhu bhi they ,inka Baap Iraan ke Baadshah Kisra Ka governor tha ,Ek martaba Qaisar ki Faujo ne Uske ilaaqe per Hamla Kiya , Is Ladayi me Suheb Raziyllahu giraftaar ho gaye, inhe Gulaam bana liya gaya ,Us Waqt ye Bachche they , Chunache ye Gulaami ki Haalat me hi Room me Pale bade , Wahi'n Jawan hue ,Fir Arab ke Kuchh Logo'n ne inhe Khareed liya aur Farokht Karne Ke liye Makka ke qareeb Ukaaz Ke Bazaar me le Aaye ,is Bazaar me Mela Lagta tha us mele me Gulaamo ki khareed farokht Hoti thi ,Mele se ek Shakhs Abdullah bin Jad'aan ne khareed liya ,
★__ Is Tarah ye Makka me Gulaamo ki Zindgi guzaar rahe they k Nabi Kareem ﷺ Ka Zahoor ho gaya, inke Dil me aayi k Ja Kar Baat to suno ... Ye Soch Kar Ghar se nikle ,Raaste me inki Mulaqaat Ammaar bin Yaasir Raziyllahu Anhu se hui , Unhone inse Puchha :- Suheb Kaha'n ja rahe ho ?
Ye foran bole :- Mai'n Muhammad ke paas ja raha Hu'n Taki unki Baat sunu aur dekhu ...Wo kis cheez ki taraf Dawat dete Hai'n ..,
Ye sun Kar Ammaar bin Yaasir Raziyllahu Anhu bole :- Mai'n bhi isi iraade se nikla Hu'n ,
Ye sun Kar Suheb Raziyllahu Anhu bole :- Tab fir ikatthe hi chalte Hai'n,
Ab Dono Ek Saath qadam Uthane lage
,💕ʀєαd, ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd 💕,*
╨─────────────────────❥
★_ Islam Ka Pehla Markaz _,*
★_ Hazrat Suheb aur Hazrat Ammaar Raziyllahu Anhum Dono Aap ﷺ ki khidmat me Haazir hue, Aapne Dono ko Apne paas bithaya ,Jab ye Beth Gaye to Aapne inke Saamne islam pesh Kiya aur Qurane Kareem ki Jo Ayaat Aap per us Waqt tak Naazil ho chuki thi Wo padh Kar sunayi , in Dono ne usi Waqt islam qubool Kar liya , Usi Roz Shaam tak ye Dono Nabi Kareem ﷺ ke paas rahe ,Shaam ko Dono chupke se chale Aaye,
★_ Hazrat Ammaar Raziyllahu Anhu sidhe Apne Ghar pahunche to inke Maa'n Baap ne inse Puchha k Din Bhar Kaha'n they , inhone foran hi bata Diya k wo Musalman ho chuke Hai'n, Saath hi inhone unke Saamne bhi islam pesh Kiya aur us Din Unhone Qurane Paak Ka Jo hissa Yaad Kiya tha Wo unke Saamne tilawat Kiya , Un Dono ko ye kalaam Behad Pasand Aaya, Dono foran hi bete ke haath per Musalman ho gaye ,Isi Buniyad per Nabi Kareem ﷺ Hazrat Ammaar bin Yaasir Raziyllahu Anhu ko Al Tayyab Al Muteeb Kaha Karte they Yani Paakbaaz aur Paak Karne wala ,
★_ isi Tarah Hazrat Imran Raziyllahu Anhu islam laye to Kuchh arse baad inke Waalid Hazrat Husen Raziyllahu Anhu bhi Musalman ho gaye , inke islam lane ki tafseel Yu'n hai _,
"_ Ek martaba Quresh ke log Nabi Kareem ﷺ se Mulaqaat ke liye aaye ,Unme Hazrat Husen Raziyllahu Anhu bhi they, Quresh ke log to bahar reh gaye ,Husen Raziyllahu Anhu andar chale gaye, Nabi Kareem ﷺ ne inhe dekh kar farmaya :- in buzurg ko Jagah do _,
Jab Wo beth gaye tab Hazrat Husen Raziyllahu Anhu ne Kaha :- Ye Aapke bare me hume kesi baate Maloom ho rahi Hai'n, Aap Hamare Ma'aboodo ko Bura Kehte Hai'n ?
Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya :- Ey Husen Aap Kitne Ma'aboodo ko poojte Hai'n ?
Hazrat Husen Raziyllahu Anhu ne Jawab diya :- Hum Saat Ma'aboodo ki ibaadat Karte Hai'n, unme SE Kuchh to Zameen me Hai'n, Ek Asmaan per ,
Is per Aapne farmaya :- aur agar Aapko koi nuqsaan pahunch Jaye to fir Aap kisse madad maangte Hai'n ?
★_ Hazrat Husen Raziyllahu Anhu bole - is Soorat me Hum usse Dua maangte Hai'n Jo Asmaan per hai ,
Ye Jawab sun Kar Aapne farmaya:- Wo to tanha tumhari Duae'n sun Kar Poori karta Hai aur tum Uske Saath doosro ko bhi Shareek Karte ho , Ey Husen kya tum Apne is shirk SE Khush ho , islam qubool Karo , Allah Ta'ala tumhe salaamti dega _,"
Hazrat Husen Raziyllahu Anhu ye Sunte hi Musalman ho gaye, Usi Waqt inke bete Hazrat Imran Raziyllahu Anhu uth Kar Baap ki taraf bade aur unse lipat gaye ,
★__ iske baad Hazrat Husen Raziyllahu Anhu ne waapas Jane Ka irada Kiya to Aap ﷺ ne Apne Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se farmaya :- inhe inke Ghar tak pahuncha Kar aaye'n ,
Hazrat Husen Raziyllahu Anhu jab Darwaze se Bahar nikle to waha'n Quresh ke log mojood they, inhe dekhte hi bole :- Lo ye bhi Be-Deen ho gaya _,"
Iske baad wo sab log Apne gharo ko laut gaye aur Sahaba kiraam ne Hazrat Husen Raziyllahu Anhu ko unke Ghar tak pahunchaya _,"
★_ isi Tarah Teen Saal tak Nabi Kareem ﷺ Khufiya tor per tablig Karte rahe ,is Dauraan Jo Shakhs bhi Musalman hota tha Wo Makka ki ghatiyo'n me Chhup Kar Namaze Ada karta tha,
★__ Fir Ek Din esa hua k Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyllahu anhu Kuchh doosre Sahaba ke Saath Makka ki ek ghaati me they Achanak waha'n Quresh ki ek Jama'at pahunch gayi ,Us Waqt Sahaba Namaz padh rahe they, Mushriko ko ye dekh Kar Bahut gussa Aaya,Wo in per Chad daude,Saath me Bura Bhala bhi keh rahe they, Ese me Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyllahu ne inme SE ek ko Pakad liya aur usko Ek zarb lagayi ,isse uski khaal fat gayi ,Khoon beh nikla ,Ye pehla Khoon hai Jo islam ke Naam per bahaya gaya ,
★_ Ab Qureshi dushmani per utar Aaye, is bina per Nabi Kareem ﷺ Hazrat Arqam Raziyllahu Anhu ke Makaan per Tashreef le Aaye Taki Dushmano se bachav rahe , is Tarah Hazrat Arqam Raziyllahu Anhu Ka ye Makaan islam Ka pehla markaz bana , is makaan ko Daare Arqam Kaha jata hai,Nabi Kareem ﷺ ke Daare Arqam me Tashreef lane se Pehle logo ki ek Jama'at musalman ho chuki thi, Ab Namaz Daare Arqam me Ada hone lagi ,Nabi Kareem ﷺ Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ko wahi'n per Namaz padhate , Wahi'n Beth Kar ibaadat Karte aur Musalmano ko Deen ki Taleeem dete ,is Tarah Teen Saal guzar gaye ,Fir Allah Ta'ala ne Aapko Elaaniya Tablig Ka Hukm farmaya -,_"
★_ Elaaniya Tablig ki ibtida bhi Daare Arqam SE hui ,Pehle Aap ﷺ Yaha'n Khufiya tor per Dawat dete rahe they Yaha'n tak k Allah Ta'ala ne Surah Ash Shu'araa me Aapko Hukm farmaya :-
"_ Aur Aap Apne Nazdeek ke Ahle khandaan ko daraiye _,"
Ye Hukm milte hi Aap kaafi pareshan hue , Yaha'n tak k Aapki Fufiyo'n ne khayal Kiya k Aap Kuchh Bimaar Hai'n Chunache Wo Aapki Bimaar Pursi ke liye Aapke pass aayi ,Tab Aapne unse farmaya :-
"_ Mai'n Bimaar nahi Hu'n Balki mujhe Allah Ta'ala ne Hukm diya hai k Mai'n Apne Qareebi Rishtedaro ko Aakhirat ke azaab SE darau'n , isliye Mai'n Chahta Hu'n k Tamaam Bani Abdul Muttalib ko Jana Karo aur Unhe Allah ki taraf Aane ki Dawat du'n _,"
Zaroor Jama Kare'n Magar Abu Lahab ko na bulaiyega Kyunki Wo hargiz Aapki Baat nahi maanega _,"
★__ Abu Lahab Ka doosra Naam Abd Uzza tha ,Ye Aap ﷺ Ka Chacha tha aur Bahut Khoobsurt tha Magar Bahut sangdil aur magroor tha ,
Doosre Din Nabi Kareem ﷺ ne Bani Abdul Muttalib ke paas Dawat bheji ,is per Wo sab Aapke Yaha'n Jama ho gaye,inme Abu Lahab bhi tha ,Usne Kaha -
"_ Ye Tumhare Chacha aur unki Aulaade Jama Hai'n,Tum Jo Kuchh kehna Chahte ho kaho aur Apni Be Deeni ko Chhod do ,Saath hi tum ye bhi samajh lo k Tumhari Qaum me Yani Humme itni Taaqat nahi hai k Tumhare Khatir saare Arbo se Dushmani le sake ,Lihaza agar tum Apne maamle per ade rahe to Khud Tumhare khandaan walo hi Ka Sabse zyada Farz Hoga k Tumhe Pakad Kar Qaid Kar de Kyunki Quresh ke Tamaam khandaan aur Qabile tum per Chad daude isse to Yahi Behtar hoga k hum hi tumhe Qaid Kar de'n ,
Aur mere Bhatije Haqeeqat ye Hai k Tumne Jo Cheez Apne Rishtedaro ke Saamne pesh ki hai isse badtar cheez Kisi aur Shakhs ne Aaj tak pesh Nahi ki hogi _,"
★_ Aapne uski Baat ki taraf koi tavajjoh nahi Farmayi aur haazreen ko Allah Ka Paigaaam sunaya ,Aapne farmaya :-
"_ Ey Quresh ! Kaho Allah Ke Siva koi Ma'abood nahi aur Muhammad Allah Ke Rasool Hai'n _"
Aapne unse ye bhi farmaya :-
"_ Ey Quresh ! Apni jaano ko jahannam ki Aag se bacha'o _,"
★_ Waha'n Sirf Aapke Rishtedar hi jama nahi they balki Quresh ke doosre Qabile bhi mojood they, isliye Aapne unke Qabile ke Naam Le le Kar Unhe mukhatib farmaya Yani Aapne ye Alfaz ada farmaye :-
"__ Ey Bani Haashim ..Ey Bani Abd Shamsh ,Apni jaano ko jahannam ki Aag se bacha'o, Ey Bani Abd Munaaf ,Ey Bani Zohra, Ey Kaab bin Lu'i ,Ey Bani Mar'o bin Kaab Apni jaano ko jahannam ki Aag se bacha'o, Ey Safiya ,Muhammad ki Foofi Apne Aapko jahannam ki Aag se bacha'o _,"
★_ Ek rivayat ke mutabiq Aapne ye Alfaz bhi farmaye :-
"_ na Mai'n Duniya me tumhe faayda pahuncha sakta Hu'n na Aakhirat me koi faayda Pahunchane Ka Akhtyar rakhta Hu'n, Sivaye us Soorat ke k tum Kaho - Laa ilaaha illallaah _, Chunki Tumhari mujhse Rishtedari hai isliye is ke bharose per kufr aur shirk ke Andhero'n me gum na rehna _,"
Is per Abu Lahab aag baboola ho gaya, Usne tilmila Kar Kaha -
Tu Halaak ho Jaye ,Kya tune Hume isi liye Jama Kiya tha ,
Fir sab log chale gaye ,
: ★_ Iske baad Kuchh din tak Aap ﷺ Khamosh rahe ,Fir Aap ﷺ ke paas Jibraiyl Alaihissalam Naazil hue , Unhone Aapko Allah ki jaanib SE Allah Ta'ala ke paigaaam ko har taraf faila dene Ka Hukm sunaya ,
Aap ﷺne dobara logo ko jama farmaya ,Unke Saamne ye khutba irshad farmaya :- Allah ki qasam ! Jiske Siva koi Ma'abood nahi, Mai'n khaas tor per Tumhari taraf aur Aam tor per saare insaano ki taraf Allah Ka Rasool Bana Kar bheja gaya Hu'n, Allah ki qasam ! Tum Jis Tarah jaagte ho usi Tarah Ek Din Hisaab Kitaab ke liye dobara jagaye jaoge ,Fir tum Jo Kuchh Kar rahe ho Uska Hisaab Tumse liya Jayega , Achchhaiyo'n aur Nek Amaal ke badle me tumhe Achchha Badla milega aur burayi Ka Badla Bura milega , Waha'n bila Shubha Hamesha Hamesha ke liye Jannat hai ya Hamesha Hamesha ke liye jahannam hai ,Allah ki qasam ! Ey Bani Abdul Muttalib ! Mere ilm me esa koi Nojawan nahi Jo Apni Qaum ke liye isse Behtar aur A'ala koi cheez le Kar Aaya Hu'n, Mai'n Tumhare waaste Duniya aur Akhirat ki bhalayi le Kar Aaya Hu'n _,"
★__ Aap ﷺ ke is khutbe ko sun Kar Abu Lahab ne sakht tareen Andaz me Kaha :- Ey Bani Abdul Muttalib ! Allah ki qasam ! Ye Ek Firma hai isse Pehle k koi doosra is per Haath daale ,Behtar ye Hai k tum hi is per qaabu pa lo ye maamla esa hai k agar tum iski Baat sun Kar musalman ho jate ho to ye Tumhare liye Zillat v ruswa'i ki Baat hogi ,Agar tum ise doosre Dushmano SE bachane ki Karoge to tum khud qatl ho jaoge _,"
Uske Jawab me uski Behan Yani Nabi Kareem ﷺ ki Foofi S'adiya Raziyllahu anha ne Kaha - Bhai Kya Apne Bhatije ko is Tarah ruswa Karna Tumhare liye munasib hai aur Fir Allah ki qasam ! Bade bade Aalim ye khabar dete aa rahe Hai'n k Abdul Muttalib ke khandaan me SE ek Nabi Zaahir hone wale Hai'n, Lihaza Mai'n to kehti Hu'n Yahi Wo Nabi Hai'n _,"
Abu Lahab ko ye sun Kar gussa Aaya ,Wo Bola - Allah ki qasam! Bilkul bakwaas aur gharo me bethne wali Aurto'n ki baate Hai'n ,Jab Quresh ke khandaan hum per chadayi Karne aayenge aur saare Arab unka Saath denge to unke muqable me Hamari kya chalegi ,Khuda ki qasam unke liye hum Ek tar niwale ki haisiyat honge _,"
Is per Abu Taalib bol uthe :- Allah ki qasam ! Jab tak Hamari Jaan me Jaan he hum inki Hifazat karenge _,"
★_ Ab Nabi Kareem ﷺ Safa Pahaadi per Chad gaye aur Tamaam Quresh ko islam ki Dawat di ,Un sabse farmaya :-
"_ Ey Quresh ! Agar Mai'n tum Sabse kahu'n k is Pahaad ke Pichhe SE Lashkar aa raha Hai AUR Wo tum per hamla Karna Chahta hai to kya tum mujhe jhoota khayal Karoge ?_,"
Sabne Ek Zubaan ho Kar Kaha - Nahi ! Isliye k Humne Aapko Aaj tak Jhoot Bolte hue nahi Suna _,"
Ab Aapne farmaya:- Ey Giroh Quresh! Apni jaano ko jahannam SE bachao , isliye k Mai'n Allah Ta'ala ke Yaha'n Tumhare liye Kuchh nahi Kar sakunga , Mai'n Tumhe us Zabardast Azaab SE Saaf dara raha Hu'n Jo Tumhare Saamne hai , Mai'n tum logo ko do Kalme Kehne ki Dawat Deta Hu'n,Jo Zubaan SE Kehne me bahut Halle Hai'n Lekin Taraazu me behad wazan wale Hai'n,
Ek is Baat ki gawahi k Allah Ke Siva koi ibaadat ke laa'iq nahi, doosre ye k Mai'n Allah Ka Rasool Hu'n, Ab tumme se kon hai Jo Meri is Baat ko qubool karta Hai _,"
★__ Aapke Khamosh hone per unme SE koi na Bola to Aapne Apni Baat fir dohrayi ,fir Aapne Teesri Baar Apni Baat dohrayi Magar is Baar bhi sab Khamosh khade rahe ,itna hua k sabne Aapki Baat Khamoshi SE sun li aur waapas chale gaye ,
: ★_ Ek Din Quresh ke log Masjide Haraam me Jama they , Buto'n ko Sajde Kar rahe they,Aap ﷺ ne ye manzar dekha to farmaya :-
"_ Ey Giroh Quresh ! Allah ki qasam,tum Apne Baap Ibrahim Alaihissalam Ke Raaste SE hat gaye ho _,"
Aapki Baat ke Jawab me Quresh bole :-
"_ Hum Allah Ta'ala ki Muhabbat hi me Buto'n ko Poojte Hai'n Taki is Tarah hum Allah Ta'ala ke qareeb ho sake'n _,"
( Afsos Aaj kal anginat log bhi Qabro ko Sajda bilkul is khayal se Karte Hai'n aur khud Ko Musalman Kehte Hai'n )
Is moqe per Allah Ta'ala ne unki Baat ke Jawab me Wahi Naazil farmayi :-
"_ *( Tarjuma)* _ Aap farma dijiye ! Agar tum Allah Ta'ala se Muhabbat rakhte ho to Meri Pervi Karo ,Allah Ta'ala Tumse Muhabbat Karne lagenge aur Tumhare sab Gunaaho Ko Maaf Kar denge _," *( Surah Aale Imran - 31)*
★_ Quresh ko ye Baat Bahut nagawaar guzri, Unhone Abu Taalib se Shikayat ki :-
"_ Abu Taalib! Tumhare Bhatije ne Hamare Ma'aboodo ko Bura Kaha hai ,Hamare Deen me Ayb nikaale Hai'n ,Hume be Aqal thehraya hai ,Usne Hamare Baap Dada tak ko gumraah Kaha hai , isliye ya to Hamari taraf se Aap nibte ya Hamare aur Uske darmiyaan SE hat Jaye'n , Kyunki khud Aap bhi usi Deen per chalte Hai'n Jo hamara hai aur Uske Deen ke Aap bhi khilaf Hai'n _,"
Abu Taalib ne Unhe Naram Alfaz me ye Jawab de Kar waapas bhej diya k _ Achchha Mai'n Unhe samjhaunga _,"
★__ idhar Allah Ta'ala ne Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ko Aapki khidmat me bheja ,Hazrat Jibraiyl Nihayat Haseen Shakl v Soorat me Behatreen Khushbu lagaye Zaahir hue aur bole :-
"_ Ey Muhammad ! Allah Ta'ala Aapko Salam farmate hai'n aur farmate hai'n k Aap Tamaam Jinno aur insaano ki taraf se Allah Ta'ala ke Rasool Hai'n, isliye Unhe Kalma e Laa ilaaha illallaah ki taraf bulaye'n _,"
Ye Hukm milte hi Quresh ko Aapne barahe raaat tablig shuru Kar di aur Haalat us Waqt ye thi k Kaafiro ke paas Poori Taaqat thi aur Wo Aapki Pervi Karne Ke liye hargiz Taiyaar nahi they ,Kufr aur Shirk unke Dilo'n me basa hua tha , Buto'n ki Muhabbat unke andar sarayat Kar chuki thi, unke Dil is Shirk aur gumraahi ke Siva koi cheez bhi qubool Karne per amaada nahi they ,Shirk ki ye bimaari logo me Poori Tarah Sama chuki thi _,
★__ Aap ﷺ ki tablig Ka ye Silsila jab Bahut bad gaya to Quresh ke darmiyaan har Waqt Aap hi Ka Zikr hone laga , Wo log Ek doosre SE bad Chad Kar Aapse Dushmani per utar Aaye , Aapke qatl ke mansoobe banane lage , Yaha'n tak sochne lage k Aapka Ma'ashrati Boycot Kar diya Jaye Lekin ye log Pehle Ek Baar Fir Abu Taalib ke paas gaye aur unse bole :-"_ Abu Taalib ! Hamare darmiyaan Aap bade Qabil, izzatdaar aur Buland martaba Aadmi Hai'n ,Humne Aapse darkhwast ki thi k Aap Apne Bhatije ko roke ,Magar Aapne Kuchh nahi Kiya ,Hum log ye Baat Bardasht nahi Kar Sakte k Hamare Ma'aboodo ko aur Baap Daada'o ko Bura Kaha Jaye , Hume be Aqal Kaha Jaye ,Aap Unhe samjha Le'n Varna hum Aapse aur unse us Waqt tak muqabla karenge jab tak k Dono fareeqo me SE ek Khatm na ho Jaye _," ,*
╨─────────────────────❥
★__Kadi Aazma'ish _,*
★__ Quresh to ye keh Kar chale gaye,Abu Taalib pareshan ho gaye,Wo Apni Qaum ke Gusse SE Achchhi Tarah waaqif they ,Doosri Taraf Wo is Baat ko Pasand Nahi Kar sakte they k Koi bhi Shakhs Huzoor Nabi Kareem ﷺ ko ruswa Karne ki Koshish kare , isliye Unhone Huzoor Nabi Kareem ﷺ SE Kaha :-
"_ Bhatije ! Tumhari Qaum ke log mere paas Aaye they , Unhone mujhse Ye Kaha hai ....., Isliye Apne Ouper aur Mujh per Raham Karo aur Mujh per esa bojh na daalo Jisko Mai'n utha na saku'n _,"
★__ Abu Taalib ki guftgu SE Nabi Akram ﷺ ne khayal Kiya k Ab Chacha unka Saath Chhod rahe Hai'n,Wo bhi ab Aapki madad nahi karna chahte ,Aapki Hifazat SE Haath utha rahe Hai'n, isliye Aapne farmaya :-
"_ Chacha Jaan ! Allah ki qasam, Agar ye log mere Daaye'n Haath per Suraj aur Baaye'n Haath per Chaand rakh de'n aur ye Kahe'n k Mai'n is ( Dawat ke) Kaam ko Chhod du'n to bhi Mai'n Hargiz ise Nahi chhodunga Yaha'n tak k Khud Allah Ta'ala isko Zaahir farma de'n _,"
Ye Kehte hue Aapki Awaaz bhara gayi ,Aapki Aankho'n me Aa'nsu aa gaye ,Fir Aap uth Kar Jane lage ,Lekin usi Waqt Abu Taalib ne Aapko pukara :- Bhatije ! idhar aao _,"
Aap unki taraf mude to unhone Kaha :- Ja'o Bhatije ! Jo Dil Chahe Kaho ,Allah ki qasam Mai'n tumhe Kisi haal me nahi chhodunga _,"
★__ Jab Quresh Ko Andaza ho gaya k Abu Taalib Aapka Saath chhodne per Taiyaar nahi Hai'n to Wo Ammara bin Waleed ko Saath le Kar Abu Taalib ke paas Aaye aur bole :-
"_ Abu Taalib ! Ye Ammara bin Waleed hai , Quresh Ka Sabse zyada bahdur , Taaqatwar aur Sabse zyada Haseen Nojawan hai , Tum ise le Kar Apna Beta Bana lo aur iske badle me Apne Bhatije ko Hamare Hawale Kar do , isliye k wo Tumhare aur Tumhare Baap Dada ke Deen ke khilaf ja raha Hai, Usne Tumhari Qaum me foot daal di hai aur unki aqle kharaab Kar di hai , Tum use Hamare Hawale Kar do taki hum use qatl Kar de'n...insaan ke badle me hum insaan de rahe Hai'n _,"
Quresh ki ye behooda Tajveez sun Kar Abu Taalib ne Kaha :-
"_Allah ki qasam! Ye hargiz nahi ho Sakta, kya tum ye samajhte ho k koi Ountni Apne Bachche ko Chhod Kar Kisi doosre Bachche ki Aarzumand ho Sakti hai _,"
Unka Jawab sun Kar Muta'am bin Adi ne Kaha - Abu Taalib ! Tumhari Qaum ne Tumhare Saath insaaf Ka maamla Kiya hai aur Jo Baat Hume na-pasand usse chhutkare ke liye Koshish ki hai ,Ab Mai'n nahi Samajhta k iske baad tum unki koi aur peshkash qubool Karoge _,"
★_ Jawab me Abu Taalib bole :- Allah ki qasam ! Unhone mere Saath insaaf nahi Kiya , Balki tum sabne mil Kar mujhe ruswa Karne aur mere khilaf Gath jod Karne Ke liye ye sab Kuchh Kiya hai, isliye ab Jo Tumhare Dil me Aaye Kar lo _,"
Baad me ye Shakhs Yani Ammara bin Waleed Habsha me kufr ki Haalat me mara ,us per jaadu Kar diya gaya tha ,Uske baad ye wahshat zada ho Kar jungalo aur khaa'ntiyo'n me maara maara fira karta tha, Isi Tarah doosra Shakhs Muta'am bin Adi bhi Kufr ki Haalat me mara ,
★__ Garz jab Abu Taalib ne Quresh ki ye peshkash bhi Thukra di to maamla Had darje sangeen ho gaya ,Doosri Taraf Abu Taalib ne Quresh ke khatarnaak iraado ko bhaanp liya , Unhone Bani Haashim aur Bani Abdul Muttalib ko bulaya,Unse darkhwast ki k sab mil Kar Aapki Hifazat Kare'n,Aapka bachaav Kare'n ,Unki Baat sun Kar Sivaye Abu Lahab ke sab Taiyaar ho gaye, Abu Lahab ne unka Saath na diya ,Ye bad bakht sakhti Karne aur Aapke khilaf Awaaz Uthane se Baaz na Aaya ,Isi Tarah Jo log Aap per imaan le Aaye they unki mukhalfat me bhi Abu Lahab hi Sabse pesh pesh tha ,Aapko aur Aapke Saathiyo'n ko takaleef Pahunchane me bhi ye Quresh se badh chadh Kar tha ,
★__ Aapko Takaleef Pahunchane ke Silsile me Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu Ek Waqia Bayan karte Hai'n :-
"_ Ek Roz Mai'n Masjide Haraam me tha k Abu Jahal waha'n Aaya aur bola :- Mai'n khuda ki qasam kha Kar Kehta Hu'n agar Mai'n Muhammad ko Sajda Karte hue Dekh Lu'n to Mai'n uski gardan maar du'n _,"
Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n, ye sun Kar Mai'n foran Nabi Kareem ﷺ ki taraf gaya aur Aapko bataya k Abu Jahal kya keh raha Hai ,
Nabi Akram ﷺ ye sun Kar Gusse ki Haalat me Bahar nikle aur tez tez chalte Masjide Haraam me dakhil ho gaye , Yaha'n tak k guzarte Waqt Aapko diwaar ki ragad lag gayi ,Us Waqt Aap Surah Al Alaq ki Aayat ,1-2 padh rahe they,
*"_ (Tarjuma_,)* _ Ey Paigambar! Aap Apne Rab Ka Naam Le Kar ( Qur'an) padha kijiye ! Wo Jisne Makhlooqaat ko paida Kiya ,Jisne Unhe Khoon Ke Lothde SE Paida Kiya _,"
★__ Tilawat Karte hue Aap is Soorat ki Aayat 6 tak pahunch gaye :-
*"_ (Tarjuma_),*_ Sach much Beshak Kaafir Aadmi Had se nikal Jata Hai _,"
Yaha'n tak k Aapne Soorat ka Aakhri Hissa Padha Jaha'n Sajde ki Aayat hai aur iske Saath hi Aap Sajde me gir gaye, Usi Waqt Kisi ne Abu Jahal SE Kaha :-
"_ Abul Hakam ! Ye Muhammad Sajde me pade Hai'n _,"
Ye Sunte hi Abu Jahal foran Aapki taraf bada ,Aapke Nazdeek pahuncha,Lekin Fir Achanak waapas aa gaya, Logo ne Hairaan ho Kar puchha :- Abul Hakam kya hua ?
★_ Jawab me Usne aur zyada Hairaan ho Kar Kaha - Jo Mai'n dekh raha Hu'n,Kya tumhe Wo Nazar nahi aa raha ?
Uski Baat sun Kar log aur zyada Hairaan hue aur bole:- Tumhe kya Nazar aa raha Hai Abul Hakam ?
Is per Abu Jahal ne Kaha :- mujhe Apne aur Unke darmiyaan Aag ki Ek Khandaq Nazar aa rahi hai _,"
[ ★__ Is Tarah Ek Din Abu Jahal ne Kaha :- Ey Giroh Quresh ! Jesa k tum dekh rahe ho , Muhammad Tumhare Deen me Ayb daal raha Hai , Tumhare Ma'aboodo ko Bura keh raha Hai,Tumhari Aqlo ko kharaab bata raha Hai aur Tumhare Baap Dadao ko gaaliya'n de raha Hai , isliye Mai'n Khuda ke Saamne Ahad karta Hu'n k Kal Mai'n Muhammad ke liye itna bada Patthar le Kar bethunga Jiska bojh Wo Bardasht nahi Kar sakenge , Jo'nhi Wo Sajde me Jayenge Mai'n Wo Patthar unke Sar per de marunga ,uske baad tum logo ko Akhtyar hai ,chaho to is maamle me Meri madad Karna aur mujhe Panaah dena ,Chaho to mujhe Dushmano ke hawale Kar dena ,fir Bani Abd Munaaf Mera Jo bhi Hashr Kare'n _,"
Ye Sun Kar Quresh bole :- Allah ki qasam hum tumhe Kisi qeemat per daga nahi denge , isliye Jo tum Karna Chahte ho itminan se Karo _,"
★__ Doosre Din Abu Jahal Apne Program ke mutabiq Ek bahut bhaari patthar utha laya aur Laga Nabi Akram ﷺ Ka intezar Karne ,idhar Nabi Akram ﷺ bhi Aadat ke mutabiq Subeh ki Namaz ke baad waha'n Tashreef le Aaye, Us Waqt Aapka qibla Baitul Muqaddas ki taraf tha ,Aap Namaz ke liye Rukne Yamaani aur Hajre Aswad ke darmiyaan khade hua Karte they, Kaabe ko Apne aur Baitul Muqaddas ke darmiyaan Kar liya Karte they,
Aapne aate hi Namaz ki niyat baandh li ,udhar Quresh ke log Apne Apne gharo me bethe intezar Kar rahe they k dekhe Aaj kya hota hai? Abu Jahal Apne Program me Kamyaab hota hai ya nahi ?Fir Jo'nhi Aap Sajde me gaye ,Abu Jahal ne Patthar uthaya aur Aapki taraf badha ,Jese hi Wo Aapke Nazdeek hua ,Ek dam us per Larza taari ho gaya, Chehre Ka rang ud gaya , Ghabrahat ke Aalam me waha'n se Pichhe hat Aaya , Patthar per Uske Haath is Tarah jam gaye k Usne Chaha Haath us per se hata le ,Lekin hata na saka _,
★__ Quresh ke log foran Uske ird gird Jama ho gaye aur bole :- Abul Hakam kya hua ?
Usne Jawab diya:- Mai'ne Raat ko Tumse Jo Kaha tha Usko Poora Karne Ke liye Mai'n Muhammad ki taraf badha Magar Jese hi unke qareeb pahuncha,Ek Jawaan ount mere Raaste me aa gaya, Maine us jesa Zabardast ount Aaj tak nahi dekha ,Wo Ek dam Meri taraf badha Jese mujhe kha lega _,"
★_ Jab is Waqi'e Ka Zikr Nabi Akram ﷺ se Kiya gaya to Aapne farmaya:- Wo Jibraiyl Alaihissalam they Agar Wo mere Nazdeek aata to Wo Zaroor use Pakad Lete _,"
[: ★__ Ek Roz Huzoor Nabi Kareem ﷺ Khana Kaaba me Namaz padh rahe they k Abu Jahal Aapke pass Aaya aur bola:- Kya Maine Aapko isse mana nahi Kiya tha,Aap jaante nahi , Mai'n Sabse bade Giroh wala Hu'n _,"
Is per Surah Al Alaq ki Aayat 17-18 Naazil hui :-
"_ *( Tarjuma)* So ye Apne Giroh ke logo ko bula le ,agar Usne esa Kiya to hum bhi Dozakh ke pyaado ko bula lenge _,"
"_ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n:- Agar Abu Jahal Apne Giroh ko bulata to Allah Ta'ala ke Azaab ke Farishte use Pakad kar tahas nahas kar dete _,"
★__ Ek Roz Abu Jahal Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke Saamne Aaya aur Aapse mukhatib hua :- Aapko Maloom hai Mai'n Bat'ha walo Ka muhafiz Hu'n aur Mai'n Yaha'n Ek Shareef tareen Shakhs Hu'n _,"
Us Waqt Allah Ta'ala ne Surah Dukhaan ki Aayat 49 Naazil farmayi :-
*"_( Tarjuma)*_ Chakh Tu bada mo'ziz mukarram hai _,"
Aayat ka ye jumla Dozakh ke Farishte Abu Jahal ko daant te Waqt fatkaarte hue lagenge _,"
★__ Abu Lahab bhi Huzoor Akram ﷺ ki iyza rasaani me aage aage tha ,Nabi Kareem ﷺ ki tablig me rukawate daalta tha ,Aap ﷺ ko Bura Bhala Kehta tha ,Uski Bivi Umme Jameel bhi Uske Saath shamil thi ,Wo jangal se kaante daar lakdiya'n kaat Kar laati aur Nabi Kareem ﷺ ke Raaste me bichhati ,is per Allah Ta'ala ne Surah Al Masadd Naazil farmayi, isme Abu Lahab ke Saath uski Bivi ko bhi Azaab ki khabar di gayi ,Wo Gusse me Aag baboola ho gayi , Patthar Haath me liye Aap ﷺ ki taraf badi ,Us Waqt Aap ﷺ ke Saath Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu they ,
★_ Unhone Abu Lahab ki Bivi ko aate Dekha to farmaya :- Allah ke Rasool ! Ye Aurat badi Zubaan daraaz hai ,agar Aap Yaha'n thehre to iski bad Zubaani se Aapko Takleef pahunchegi ',"
Unki Baat sun Kar Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya:- Abu Bakar! Fikr na karo ,Wo Mujhe na dekh sakegi _,"
Itne me umme Jameel Nazdeek pahunch gayi ,use waha'n Sirf Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu Nazar Aaye ,Wo aate hi boli :- Abu Bakar ! Tumhare Dost ne mujhe zaleel Kiya hai, Kaha'n hai Tumhara Dost Jo Shayr padhta hai _,"
Abu Bakar bole :- Kya tumhe mere Saath koi Nazar aa raha Hai_,"
"_Kyu kya baat hai ,mujhe to Tumhare Saath koi Nazar nahi aa raha_,"
Unhone puchha :- Tum unke Saath kya Karna chahti ho ?
Jawab me Usne Kaha :- mai:'n ye Patthar Uske moonh per maarna chahti Hu'n, Usne meri Shaan me naaziba Shayr kahe Hai'n_,"
★__ Wo Surah Masadd ki Aayaat ko Shayr samajh rahi thi, is per Unhone Kaha - Nahi Allah ki qasam ! Wo Shayar nahi Hai'n, Wo to Shayr Kehne jaante hi nahi ,na Unhone tumhe zaleel Kiya hai_,"
Ye sun kar Wo waapas lot gayi ,Baad me Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Aap ﷺ se Puchha - Ey Allah ke Rasool ! Wo Aapko dekh kyu nahi saki _,"
Aapne irshad farmaya:- Ek farishte ne mujhe Apne Paro me chhupa liya tha _,"
Ek rivayat ke mutabiq Aapne ye Jawab irshad farmaya tha :- Mere aur Uske darmiyaan Ek Aad paida kar di gayi thi ,
★__ Abu Lahab Ke ek bete Ka Naam Utba tha aur Doosre Ka Naam Utaiba tha ,Elaane Nabuwat SE Pehle Rasoole Kareem ﷺ ne Apni Do Betiyo'n Hazrat Ruqayya aur Hazrat Umme Qulsum Raziyllahu Anhuma Ka nikaah Abu Lahab ke in Dono Beto'n SE Kar diya tha,Sirf Nikaah hua tha ,Abhi Rukhsati nahi hui thi, Islam Ka Agaaz hua aur Surah Lahab Naazil hui to Abu Lahab ne Gusse me aa Kar Apne Beto'n SE Kaha :- Agar Tum Muhammad ki Betiyo'n ko talaaq Nahi doge to Mai'n Tumhara Chehra nahi dekhunga _,"
★_ Chunache in Dono ne Unhe Talaaq de di ( Dekha Jaye to Aap ﷺ ki Betiyo'n ke liye isme Hikmat thi goya Allah Ta'ala ne Chaha k ye Paak Sahabzadiya'n Utba aur Utaiba ke Yaha'n na ja sake'n ), Ye Rishta islam SE Dushmani ki buniyad per Khatm Kiya gaya,Yani Aap Dono chunki Nabi Kareem ﷺ ki Sahabzadiya'n thi isliye ye qadam uthaya gaya ,
"_ is moqe per Utaiba Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me Haazir hua aur Usne Aapki shaan me gustakhi ki ,Aap Sahabzadiyo'n ki vajah se Pehle hi gamgeen they ,in Halaat me Aapne Uske Haq me Bad -Dua farmayi :- Ey Allah ! Is per Apne Kutto me SE ek Kutta musallat farma de _,"
★_ Utaiba ye Bad -Dua sun Kar waha'n SE lot Aaya ,Usne Apne Baap Abu Lahab ko Saara haal sunaya,Iske baad Dono Baap Beta Ek Qafile ke Saath Mulk Shaam ki taraf rawana ho gaye,Raaste me ye log Ek Jagah thehre, Waha'n qareeb hi Ek Raahib ki ibaadat gaah thi , Raahib unke paas Aaya ,Usne Kaha - "_ is ilaaqe me jungli darinde rehte Hai'n _,"
Abu Lahab ye sun Kar Khofzada ho gaya,Nabi Kareem ﷺ ki Bad -Dua Yaad aa gayi,Usne Qafile walo se Kaha - Tum log Meri Haisiyat SE Ba khabar ho aur ye bhi jaante ho k Mera tum per kya Haq hai _,"
Unhone ek Zubaan ho Kar Kaha:- Beshak Hume Maloom hai _"
Abu Lahab ye sun Kar Bola :- Tab fir Hamari madad Karo , Mai'n Muhammad ki Bad -Dua ki vajah se khofzada ho gaya Hu'n , isliye tum log Apna Samaan is ibaadatgaah ki taraf Rakh Kar us per mere Bete Ka bistar laga do aur uske Charo taraf tum log Apne Bistar laga lo _,"
★__ UN Logo'n ne esa hi Kiya ,Yahi nahi Unhone Apne Charo taraf Apne Ounto'n ko bhi bitha diya ,is Tarah Utaiba in Sabke ayn darmiyaan me aa gaya, Ab Wo sab uski paasbaani Karne lage ,
: ★_ in Tamaam Ahatyaati tadabeer ke bavjood Nabi Kareem ﷺ ki peshgoyi Poori ho gayi ,Nisf Raat ke qareeb Ek Sher waha'n Aaya aur soye hue logo ko soonghne laga ,Ek Ek ko soonghte hue wo aage badta raha Yaha'n tak k wo lambi chhalang laga Kar Utaiba tak pahunch gaya,bas fir kya tha ,Usne use Cheer faad Kar Halaal Kar dala ,
★_ Takaleef Pahunchane Ka Ek aur Waqia is Tarah pesh Aaya k Ek Roz Aap ﷺ Masjide Haraam me Namaz padh rahe they, Qareeb hi Kuchh jaanwar zibah kiye gaye they ,Wo log Apne Buto'n ke Naam per qurban Karte they,Un Jaanwaro ki ek Ojhdi abhi tak Wahi'n padi thi ,ese me Abu Jahal ne Kaha - Kya koi Shakhs esa hai Jo is Ojhdi ko Muhammad ke Ouper daal de _,"
Ek rivayat ke mutabiq Kisi ne Kaha - Kya tum ye manzar nahi dekh rahe ho Tumme SE kon hai Jo waha'n Jaye Jaha'n Fala Qabile ne Jaanwar zibah kiye Hai'n , unka gobar ,leed ,Khoon aur Ojhdi waha'n pade Hai'n, Koi Shakhs waha'n ja Kar Gandhi utha laye aur Muhammad ke Sajde me Jane Ka intezar kare ,Fir Jo'nhi Wo Sajde me Jaye Wo Shakhs Gandhi unke Kandho ke darmiyaan rakh de _,"
★__ Tab Mushriko me SE ek Shakhs utha ,Uska Naam Uqba bin Abi Mu'iyt tha ,Ye Apni Qaum me Sabse zyada bad bakht tha ,Ye gaya aur Ojhdi utha laya ,Jab Aap ﷺ Sajde me gaye to Ojhdi Aap per rakh di ,
Is per Mushrikeen zor zor se Hansne lage Yaha'n tak k wo hansi SE behaal ho gaye aur ek doosre per girne lage ,Ese me Kisi ne Hazrat Faatima Az Zohra Raziyllahu anha ko ye Baat bata di, Wo roti hui Haram me aayi ,Nabi Kareem ﷺ usi Tarah Sajde me they aur Ojhdi Aapke Kandho per thi ,Sayyada Faatima Raziyllahu anha ne Ojhdi ko Aap per se hataya ,Uske baad Aap Sajde se uthe aur Namaz ki Haalat me khade ho gaye, Namaz se Faarig ho Kar Aap ﷺ ne un logo ke Haq me Bad -Dua farmayi :- Ey Allah ! Tu Quresh ko Zaroor Saza de ,Ey Allah Tu Quresh ko Zaroor Saza de, Ey Allah Tu Quresh ko Zaroor Saza de_,"
★__ Quresh Jo maare hansi ke lot pot ho rahe they Ye Bad -Dua Sunte hi unki hansi kafoor ho gayi ,is Bad -Dua ki vajah se Wo Dehshat zada ho gaye, iske baad Aapne Naam Le le Kar bhi Bad -Dua farmayi :-
"_ Ey Allah ! Tu Amru bin Hisham ko Saza de ( Yani Abu Jahal ko ) Uqba bin Abi Mu'iyt aur Umayya bin Khalf ko Saza de _,"
Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu Kehte Hai'n :- Allah ki qasam ! Aap ﷺ ne Jin Jin Qureshiyo Ka Naam Liya tha ,Maine Unhe Gazwa E Badar me khaak v Khoon me lathda hua dekha aur fir unki Laasho ko ek gadhe me faink diya gaya _,"
╨─────────────────────❥
*★_ Qurbaniya'n hi Qurbaniya'n _,*
★__ Isi Tarah Ek Waqia Hazrat Usman Raziyllahu anhu is Tarah Bayan farmate hai'n :-
"_ Ek Roz Nabi Kareem ﷺ Tawaaf farma rahe they, Us Waqt Aapka Haath Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu ke haath me tha , Hajre Aswad ke paas Teen Aadmi bethe they ,Jab Aap Hajre Aswad ke paas se guzre aur Unke qareeb pahunche to un teeno ne Aapki zaate Ba Barkat per Chand Jumle kase ,in jumlo ko sun Kar Aapko Takleef pahunchi , Takleef ke Asaar Aapke Chehre SE Zaahir hue , Doosre Faire me Abu Jahal ne Kaha- Tum Hume in Ma'aboodo ki ibaadat Karne se rokte ho Jinhe Hamare Baap Dada Poojte Aaye Hai'n, Lekin hum Tumse Sulah nahi Kar Sakte _,"
Jawab me Aap ﷺ ne farmaya :- Mera bhi Yahi haal hai _,"
Fir Aap aage bad gaye ,Teesre Faire me bhi Unhone esa hi Kaha ,Fir chhothe Faire me ye teeno Ek dam Aapki taraf Jhapte ,
★__ Hazrat Usman Raziyllahu anhu farmate Hai'n :- Abu Jahal ne Ek dam aage bad Kar Aap ﷺ ke Kapde Pakadne ki Koshish ki , Maine Aage bad Kar ek Ghoonsa Uske Seene per maara ,isse Wo Zameen per gir pada ,Doosri Taraf SE Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Umayya bin Khalf ko dhakela ,Teesri taraf khud Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne Utba bin Abi Mu'iyt ko dhakela , Aakhir ye log Aapke pass SE hat gaye, Us Waqt Aapne irshad farmaya :- Allah ki qasam ! Tum log us Waqt tak nahi maroge jab tak Allah ki taraf se iski Saza nahi bhugat loge _,"
★__ Hazrat Usman Raziyllahu anhu farmate Hai'n :- Ye Alfaz sun Kar un teeno me se ek bhi esa nahi tha Jo khof ki vajah se kaanpne na laga ho _"
Fir Aapne irshad farmaya :- Tum log Apne Nabi ke liye Bahut bure Saabit hue _,"
Ye farmane ke baad Aap Apne Ghar ki taraf lot gaye , Hum Aapke Pichhe Pichhe chale ,
Jab Aap Apne Darwaze per pahunche to Achanak Hamari taraf mude aur farmaya :- Tum log gam na karo , Allah Ta'ala khud Apne Deen ko failane wala, Apne Kalme ko Poora Karne wala aur Apne Nabi ki madad Karne wala hai , Un logo ko Allah Bahut jald Tumhare Haatho zibah karwayega _,"
★_ iske baad hum bhi Apne Apne gharo ko chale gaye aur fir Allah ki qasam Gazwa E Badar ke Din Allah Ta'ala ne un logo ko Hamare Haatho zibah karaya _,
: ★_ Ek Roz esa hua k Aap Khana Kaaba Ka tawaaf Kar rahe they,Ese me Uqba bin Abi Mu'iyt waha'n aa gaya,Usne Apni Chaadar utaar Kar Aapki gardan me daali aur usko bal dene laga ,Is Tarah Aapka gala ghutne laga ,Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu daud Kar Aaye aur use Kandho SE pakad Kar dhakela,Saath hi Unhone farmaya :-
"_ Kya tum us Shakhs ko qatl Karna Chahte ho Jo ye Kehta hai k Mera Rab Allah hai... Aur Jo Tumhare Rab ki taraf se khuli nishaniya'n le Kar Aaya hai _",
★__ Bukhari ki ek Hadees ke mutabiq Hazrat Amru bin Zuber Raziyllahu anhu se rivayat hai k Maine Ek martaba Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu se Puchha :- mujhe bataiye ! Mushrikeen ki taraf se Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke Saath Sabse zyada badtareen aur sakht tareen sulook kisne Kiya tha ?
Jawab me Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu ne farmaya :-
"_ Ek martaba Huzoor Nabi Kareem ﷺ Kaaba me Namaz Ada farma rahe they k Uqba bin Abi Mu'iyt Aaya ,Usne Aapki gardan me Kapda daal Kar usse Poori Quwwat se Aapka gala ghonta ,Us Waqt Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne use dhakel Kar hataya _,"
Ye Qaul Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu Ka hai , Unhone Yahi Sabse Sakht bartaav Dekha Hoga Varna Aap ﷺ ke Saath isse Kahi zyada sakht bartaav Kiya gaya _,"
★__ Fir Jab Musalmano ki tadaad 38 ho gayi to Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Aap ﷺ se arz Kiya :-
"_ Ey Allah ke Rasool ! Masjide Haraam me Tashreef le chaliye Taki hum waha'n Namaz Ada Kar sake'n _,"
Is per Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Abu Bakar! Abhi Hamari tadaad thodi hai _,"
Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne fir isi khwahish Ka izhaar Kiya , Aakhir Huzoor Nabi Kareem ﷺ Apne Tamaam Sahaba ke Saath Masjide Haraam me pahunch gaye,Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne khade ho Kar khutba diya ,Logo ko Kalma padh Lene ki Dawat di ,is Tarah Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu Sabse Pehle Shakhs Hai'n Jinhone Masjid me khade ho Kar is Tarah Tablig farmayi _,"
★_ Us Khutbe ke Jawab me Mushrikeen Makka Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu aur Doosre Musalmano per toot pade aur Unhe maarne lage ,Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ko to unhone Sabse zyada maara pita , Maar peet ki inteha Kar di gayi ,Uqba to Unhe Apne jooto SE maar raha tha, Usme dohra tala laga hua tha ,Usne Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ke Chehre per un jooto se itni zarbe lagayi k Chehra lahu luhaan ho gaya ,
★__ Ese me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ke Qabile Banu Tameem ke log Waha'n pahunch gaye, Unhe dekhte hi Mushrikeen ne Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ko Chhod diya, Un logo ne Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ko ek Kapde per Lita diya aur behoshi ki Haalat me Ghar le Aaye ,Un sabko Yaqeen ho chuka tha k Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu Aaj zinda nahi bachenge ,iske baad Banu Tameem ke log waapas Haram Aaye , Unhone Kaha :- Allah ki qasam ! Agar Abu Bakar mar gaye to hum Uqba ko qatl Kar denge _,"
Ye log fir Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu ke paas Aaye , Unhone aur Hazrat Abu Bakar Raziyllahu anhu ke Waalid ne unse Baar Baar Baat Karne ki Koshish ki , Lekin Aap bilkul behosh they , Aakhir Shaam ke Waqt Kahi'n ja Kar Aapko hosh Aaya aur bolne ke qabil hue , Unhone Sabse Pehle ye puchha :- Aan'Hazrat ﷺ Ka kya haal hai ?
★__ Ghar me mojood afraad ne unki is Baat Ka koi Jawab na diya ,idhar Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu Baar Baar Apna Sawal dohra rahe they , Aakhir unki Waalda ne Kaha:- Allah ki qasam ! Hume Tumhare Dost ke bare me Kuchh Maloom nahi _,"
Ye sun Kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne farmaya:- Achchha to fir Umme Jameel bint Khattaab ke paas jaiye ,Unse Aan'Hazrat ﷺ Ka haal daryaft Kar Ke mujhe bataiye _,"
"__ Umme Jameel Raziyllahu Anha Hazrat Umar Raziyllahu anhu ki Behan thi ,islam qubool Kar chuki thi, Lekin abhi tak Apne islam ko chhupaye hue thi ,Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ki Waalda unke paas pahunchi , Unhone Umme Jameel Raziyllahu Anha SE Kaha :- Abu Bakar Muhammad bin Abdullah ki khairiyat poochhte Hai'n _,"
Umme Jameel Raziyllahu Anha chunki Apne Bhai Hazrat Umar Raziyllahu anhu se darti thi ,Wo abhi tak imaan nahi laye they, isliye Unhone Kaha :- Mai'n nahi jaanti _,"
Saath hi Wo Boli :- Kya Aap mujhe Apne Saath le Jana chahti Hai'n_,?
Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ki Waalda ne foran Kaha :- Haa'n !,
★__ Aap Dono waha'n SE Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ke paas Aaye, Umme Jameel Raziyllahu Anha ne Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ko zakhmo se choor dekha to Cheekh padi :- Jin logo ne Tumhare Saath ye sulook Kiya hai Wo yaqinan faasiq aur Bad tareen log Hai'n ,Mujhe Yaqeen hai Allah Ta'ala unse Aapka badla lega _,"
Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Kaha :- Rasulullah ﷺ Ka kya haal hai ?
Umme Jameel Raziyllahu Anha ese logo ke Saamne Baat Karte hue darti thi Jo abhi imaan nahi laye they, Chunache Boli :- Yaha'n Aapki Waalda mojood Hai'n _,"
Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu foran bole :- Unki taraf se be fikr rahe'n, ye Aapka raaz Zaahir nahi karengi _,"
Ab Umme Jameel Raziyllahu Anha ne Kaha:- Rasulullah ﷺ khairiyat SE Hai'n _,"
Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Puchha :- Huzoor ﷺ is Waqt Kaha'n Hai'n ?
Umme Jameel ne farmaya :- Daare Arqam me _,"
Ye sun Kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu bole :- Allah ki qasam! Mai'n us Waqt tak na Kuchh khaunga ,na piyunga Jab tak k Mai'n Rasulullah ﷺ SE mil na Lu'n _,"
★_ Un Dono ne Kuchh der intezar Kiya ..Taki bahar Sukoon ho Jaye ... Aakhir ye Dono Unhe Sahara de Kar le Chali aur Daare Arqam pahunch gayi , Jo'nhi Nabi Akram ﷺ ne Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu ki ye Haalat dekhi to Aapko behad sadma hua ,Aapne aage bad Kar Abu Bakar Raziyllahu Anhu ko gale se laga liya , Unhe Bosa diya, Baqi Musalmano ne bhi Unhe gale se lagaya aur Bosa diya,Fir Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Aap ﷺ se Arz Kiya :- Aap per mere Maa'n Baap qurban ho ,Ey Allah ke Rasool ! Mujhe Kuchh to nahi hua ,Sivaye iske k mere Chehre per chote'n aayi Hai'n ,Ye Meri Waalda mere Saath aayi Hai'n, Mumkin hai Allah Ta'ala Aapke Tufail inhe Jahannam ki Aag se bacha le _,"
Nabi Kareem ﷺ ne unki Waalda ke liye Dua farmayi ,Fir Unhe islam ki Dawat di , Wo usi Waqt imaan le aayi _,Jisse Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu aur Tamaam Sahaba ko behad Khushi hui ,
★_ Ek Roz Sahaba kiraam Nabi Kareem ﷺ ke gird Jama they ,Ese me Kisi ne Kaha :- Allah ki qasam ! Quresh ne Aaj tak Nabi Kareem ﷺ ke alawa Kisi aur ki Zubaan Buland Awaaz me Qur'an nahi Suna , isliye tum me SE Kon hai Jo unke Saamne Buland Awaaz me Qur'an padhe _,"
Ye sun Kar Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu bol uthe :- Mai'n unke Saamne Buland Awaaz SE Qur'an padhunga _,"
Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu ki Baat sun Kar Sahaba ne Kaha:- Hume Quresh ki taraf se Aapke bare me khatra hai ,Hum to esa Aadmi chahte Hai'n Jiska Khandaan Quresh SE uski Hifazat karta rahe _,"
Iske Jawab me Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu ne farmaya:- Tum Meri Parwaah na karo ,Allah Ta'ala khud Meri Hifazat farmayenge _,"
★__ Dopahar ke baad Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu Baitullah me pahunch gaye,Aap Maqaame Ibrahim ke paas khade ho gaye,Us Waqt Quresh Apne Apne gharo me they ,Ab inhone Buland Awaaz SE Qur'an padhna shuru Kiya _,
Quresh ne ye Awaaz suni to Kehne lage :- Muhammad Jo Kalaam le Kar Aaye Hai'n,Ye Wohi padh raha Hai _"
Ye Sunte hi Mushrikeen unki taraf daud pade aur lage Unhe maarne peetne , Abdullah bin Masoud Raziyllahu Chote Khaate Jate they aur Qur'an Padhte jate they , Yaha'n tak k unhone Soorat Ka zyadatar hissa tilawat Kar daala _,
★__ Iske baad waha'n SE Apne Saathiyo'n ke paas aa gaye , Unka Chehra us Waqt tak lahu luhaan ho chuka tha ,Unki ye Haalat dekh Kar Musalman bol uthe:- Hume Tumhari taraf se isi Baat Ka khatra tha _,"
Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu ne farmaya:- Allah ki qasam ! Allah Ke Dushmano ko Maine Apne liye Aaj se zyada Halka aur Kamzor Kabhi nahi paya ,Agar tum log Kaho to Kal fir unke Saamne ja Kar Qur'an padh Sakta Hu'n _,"
Is per Musalman bole :- Nahi ,Wo log Jis cheez ko na Pasand Karte Hai'n Aap Unhe Wo kaafi Suna Aaye Hai'n _,"
★__ Kuffar Ka ye Zulmo Sitam Jaari raha,Ese me Ek Din Huzoor Aqdasﷺ Safa ki Pahadi ke paas mojood they, Abu Jahal Aapke Pass SE guzra ,Usne Aapko dekh liya aur Laga gaaliya'n dene ,Usne Aapke Sir per Mitti bhi fainki , Abdullah bin Jad'aan ki Baandi ne ye manzar dekha ,Fir Abu Jahal Aapke pass SE chal Kar Haram me dakhil hua , Waha'n Mushrikeen Jama they,Wo unke Saamne Apna Kaarnama Bayan Karne laga ,Usi Waqt Aapke Chacha Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu Haram me dakhil hue ,Ye us Waqt tak musalman nahi hue they,Talwaar unke Kamar SE latak rahi thi,Wo us Waqt shikaar SE waapas Aaye they ,Unki Aadat thi k Jab Shikaar se laut te to Pehle haram ja Kar Tawaaf Karte they,fir Ghar jate they ,
★__Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu Haram me dakhil hone se Pehle Abdullah bin Jad'aan ki Baandi ke paas se guzre,Usne Saara manzar Khamoshi se dekha aur Suna tha ,Usne Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu se Kaha :- Ey Hamza ! Kuchh khabar bhi Hai ,abhi abhi Yaha'n Hakam bin Hisham ( Abu Jahal ) ne Tumhare Bhatije ke Saath kya sulook Kiya hai, Wo Yaha'n Bethe they,Abu Jahal ne Unhe dekh liya,Unhe Takleef pahunchayi , gaaliya'n di aur Bahut buri Tarah pesh Aaya,Aapke Bhatije ne Jawab me use Kuchh bhi na Kaha _,"
Saari Baat sun Kar Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu ne Kaha :- Tum Jo Kuchh Bayan Kar rahi ho ,kya tumne Apni Aankho'n se dekha hai _,"
Usne foran Kaha :- Haa'n , Maine khud dekha hai _,"
★__ Ye Sunte hi Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu Josh me aa gaye, Chehra Gusse se tamtama utha ,Foran Haram me dakhil hue, Waha'n Abu Jahal mojood tha ,Wo Qureshiyo ke darmiyaan me betha tha,Ye sidhe us tak ja pahunche ,Haath me kamaan thi ,Bas Wohi kheech Kar Uske Sir per de maari ,Abu Jahal Ka sir fat gaya ,Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu ne usse Kaha :-
"_ Tu Muhammad ko gaaliya'n deta hai,Sun le ! Mai'n bhi Uska Deen Akhtyar karta Hu'n ,Jo Kuchh Wo Kehta hai Wohi Mai'n bhi Kehta Hu'n, Ab agar tujh me himmat hai to mujhe Jawab de _,"
Abu Jahal unki minnat samajat Karte hue Bola :- Wo Hume Be Aqal batata hai ,Hamare Ma'aboodo ko Bura Kehta hai,Hamare Baap Dada ke Raaste ke khilaf chalta hai _,"
Ye sun Kar Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu bole :- Aur Khud Tumse zyada Be Aqal aur Bewaqoof kon Hoga Jo Allah ko Chhod Kar Patthar Ke tukdo ko Poojte ho , Mai'n Gawahi deta Hu'n k Allah Ke Siva koi Ma'abood nahi aur Mai'n Gawahi deta Hu'n k Muhammad Allah Ke Rasool Hai'n _,"
★__ Unke ye Alfaz sun Kar Abu Jahal ke khandaan ke Kuchh log Ek dam Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu ki taraf bade aur Unhone Kaha :- ab Tumhare bare me bhi Hume Yaqeen ho gaya hai k tum bhi be deen ho gaye ho _,"
Jawab me Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu ne farmaya :-
"_Aa'o ...kon hai mujhe isse rokne wala ,Mujh per Haqeeqat Roshan ho gayi hai , Mai'n Gawahi deta Hu'n k wo Allah Ke Rasool Hai'n,Jo Kuchh Wo Kehte Hai'n Wo Haq aur Sachchayi hai ,Allah ki qasam ! Mai'n Unhe nahi chhodunga, Agar tum Sachche ho to mujhe rok Kar dikha'o _,"
Ye sun Kar Abu Jahal ne Apne logo se Kaha :- Abu Ammara ( Yani Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu) ko Chhod do ,Maine waqa'i inke Bhatije ke Saath abhi Kuchh Bura sulook Kiya tha _,"
★_ Wo log hat gaye , Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu Ghar pahunche, Ghar aa Kar Unhone Uljhan mehsoos ki k Mai'n ye Quresh ke Saamne kya keh Aaya Hu'n ... Mai'n to Quresh Ka Sardaar Hu'n _,
Lekin fir unka zameer Unhe malamat Karne laga , Aakhir Shadeed Uljhan ke Aalam me Unhone Dua ki :-
"_ Ey Allah ! Agar ye Sachcha Raasta hai to mere Dil me ye Baat daal de aur Agar esa nahi hai to fir mujhe is Mushkil se nikaal de ,Jisme Mai'n ghir gaya Hu'n _,"
: ★_ Wo Raat Unhone isi Uljhan me guzaari , Aakhir Subeh hui to Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke paas pahunche ,Aapse arz Kiya :- Bhatije ! Mai'n ese maamle me ulajh gaya Hu'n k mujhe isse nikalne Ka koi Raasta samjhaye nahi deta aur ek Esi soorate haal me rehna Jiske bare me Mai'n nahi jaanta ,Ye Sachchayi hai ya nahi ,Bahut sakht maamla hai _,"
★__ Is per Aan'Hazrat ﷺ Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu ki taraf mutavajjah hue ,Aapne Unhe Allah Ke Azaab se daraya ,Sawab ki Khush Khabri sunayi ,Aapke Wa'az v Nasihat Ka ye Asar hua k Allah Ta'ala ne Unhe imaan Ka Noor ata farma diya ,Wo bol uthe:- "_ Ey Bhatije ! Mai'n Gawahi deta Hu'n k tum Allah Ke Rasool ho ,Bas Ab tum Apne Deen ko khol Kar pesh Karo _,"
"_ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n :- is Waqi'e per Qur'an Paak ki ye Aayat Naazil hui :-
"_ *( Tarjuma)* _ Esa Shakhs Jo k Pehle Murda tha ,Fir Humne use zinda Kar diya aur Humne use Ek esa Noor de diya k wo use liye hue chalta firta hai _" *( Surah Al An'aam )*
★_ Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu ke imaan lane per Huzoor Nabi Kareem ﷺ ko Bahut zyada Khushi hui, iski Ek vajah to ye thi k Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu Aapke Sage Chacha they ,Doosri vajah ye thi k wo Quresh me Sabse zyada Mo'azzaz fard they , iske Saath hi Wo Quresh ke Sabse zyada Bahadur , Taaqatwar aur khuddaar insaan they ,aur isi buniyad per jab Quresh ne dekha k Ab Rasulullah ﷺ ko mazeed Quwwat haasil ho gayi hai to unhone Aapko Takaleef Pahunchane Ka Silsila band Kar diya ,Lekin Apne Tamaam zulm v Sitam ab Wo Kamzor Musalmano per dhaane lage ,
★_ Kisi Qabile Ka bhi koi Shakhs musalman ho jata Wo Uske Pichhe Haath dho Kar pad jate , Ese logo ko qaid Kar dete ,bhooka pyaasa rakhte ,tapti Ret per litate , Yaha'n tak k Uska ye haal ho jata k Sidhe bethne ke qabil bhi na rehta , is zulm aur zyadti per Sabse zyada Abu Jahal logo ko uksaata tha ,
"_ Ese hi logo me Ek Hazrat Bilaal Habshi Raziyllahu Anhu bhi they, Aapka Poora Naam Bilaal bin Rabaah tha ,Ye Umayya bin Khalf ke Gulaam they,
★__ Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu Makka me Paida hue they, Pehle Abdullah bin Jad'aan Taymi ke Gulaam they, Abdullah bin Jad'aan ke 100 Gulaam they,Ye Umme SE ek they ,Jab islam Ka Agaaz hua aur Uska Noor faila to Abdullah bin Jad'aan ne Apne 99 Gulaamo ko is Khof SE Makka SE bahar bhej diya k Kahi'n Wo Musalman na ho Jaye , Bas Usne Hazrat Bilaal bin Rabaah Raziyllahu Anhu ko Apne paas rakh liya ,Ye uski Bakriya'n charaya Karte they,islam ki Roshni Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu tak bhi pahunchi ,Ye imaan le Aaye Magar inhone Apne islam ko chhupaye rakha ,Ek Roz inhone Kaaba ke Chaaro taraf rakhe Buto'n per Gandhi daal di ,Saath hi Wo un per thookte jate they aur Kehte jate they :- Jisne Tumhari ibaadat ki Wo Rabaah ho gaya_,"
★_ Ye Baat Quresh ko Maloom ho gayi ,Wo foran Abdullah bin Jad'aan ke paas Aaye...aur usse bole :- Tum Be-Deen ho gaye ho _,"
Usne Hairaan ho Kar Kaha:- Kya mere bare me bhi ye Baat Kahi ja Sakti hai?"
Is per Wo bole :- Tumhare Gulaam Bilaal ne Aaj esa Kiya hai _,"
"_ Kya ?" Wo Hairat zada reh gaya_,
★__ Abdullah bin Jad'aan ne foran Quresh ko 100 dirham diye Taki Buto'n ki Jo toheen hui hai Uske badle unke naam per Kuchh jaanwar zibah Kar diye Jaye ,Fir Wo Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu ki taraf badha ,Usne Unhe Rassi se baandh diya , Tamaam din bhooka aur pyaasa rakha ,Fir to ye Uska Roz Ka mamool ban gaya,Jab Dopahar ke Waqt Suraj Aag barsane Lagta to Unhe Ghar se nikaal Kar tapti hui Ret per chit Lita deta ,Us Waqt Ret is qadar Garam Hoti thi k agar us per gosht Ka tukda rakh diya jata to Wo bhi bhun jata tha, Wo isi per bas nahi karta tha, Ek Wazni patthar mangata aur Unke Seene per rakh Deta Taki wo Apni Jagah per se Hil bhi na sake ,Fir Wo badbakht unse Kehta :-
"_ Ab ya to Tu Muhammad ki risaalat aur Paigambari se inkaar Kar aur Laat v Uzza ki ibaadat Kar Varna Mai'n tujhe Yaha'n isi Tarah litaye rakhunga , Yaha'n tak k tera Dam nikal jayega _,"
★__ Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu uski Baat ke Jawab me farmate :- " Ahad....Ahad ..,
Yani Allah Ta'ala Ek hai ,Uska koi Shareek nahi,
Jab Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu Kisi Tarah islam se na hate to tang aa Kar Abdullah bin Jad'aan ne Unhe Umayya bin Khalf ke hawale Kar diya ,Ab ye Shakhs un per isse bhi Zyada zulm v Sitam dhaane laga _,
★__ Ek Roz Unhe isi qism ki Khofnaak sazae'n di ja rahi thi k Huzoor Nabi Kareem ﷺ us taraf se guzre , Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu Shiddate Takleef ki Haalat me Ahad Ahad pukaar rahe they, Aapne Unhe is Haalat me dekh Kar farmaya :- Bilaal ! Tumhe ye Ahad Ahad hi nijaat dilayega _,"
★__ Fir Ek Roz Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu us taraf se guzre , Umayya bin Khalf ne Unhe garam Ret per Lita rakha tha , Seene per ek bhaari patthar rakha hua tha, Unhone ye dardnaak manzar dekh Kar Umayya bin Khalf se Kaha :- "- Kya is miskeen ke bare me tumhe Allah Ka Khof nahi aata , Aakhir kab tak tum ise Azaab diye jaoge _,"
Umayya bin Khalf ne jal Kar Kaha :- "_ Tum hi ne ise kharaab Kiya hai, isliye tum hi ise nijaat kyu nahi dilate _,"
Uski Baat sun Kar Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu bole :- Mere Paas bhi Ek Habshi Gulaam hai ,Wo isse zyada Taaqatwar hai aur Tumhare hi Deen per hai , Mai'n inke badle me tumhe Wo de Sakta Hu'n_,"
Ye sun Kar Umayya Bola :- "_ Mujhe Ye Sauda Manzoor hai _,"
★__ Ye Sunte hi Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Apna Habshi Gulaam Uske hawale Kar diya, Uske badle me Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu ko le liya aur Azaad Kar diya _,"
Sub'hanallah ! Kya khoob Sauda hua , Yaha'n ye Baat Jaan Leni Chahiye k Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu Ka Habshi Gulaam Duniya ke lihaaz se Bahut qeemti tha ,Ye bhi Kaha jata hai k Umayya bin Khalf ne Gulaam ke Saath 10 avqiya Sona bhi talab Kiya tha aur Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Uska ye mutalba bhi maan liya tha , Chunache Aapne use Ek Yamani Chaadar aur Kuchh Sona diya tha, Saath hi Aapne Umayya bin Khalf se farmaya tha :- Agar tum mujhse 100 avqiya Sona bhi talab Karte to bhi Mai'n tumhe de deta _,"
★_ Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu ke alawa Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne aur bhi Bahut SE Gulaam miskeeno ko khareed Kar Azaad farmaya tha,Ye Wo musalman Gulaam they Jinhe Allah Ka Naam Lene ki vajah se zulm Ka nishana banaya ja raha tha, inme Ek Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu ki Waalda Humama Raziyllahu Anha thi ,Ek Aamir bin Fahira Raziyllahu Anhu they ,inhe Allah Ka Naam Lene per bade bade sakht Azaab diye jate , Ye Qabila Bani Tameem ke Ek Shakhs ke Gulaam they,Wo Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu Ka Rishtedar tha ,Aapne Apne Rishtedar SE khareed Kar inhe bhi Azaad farmaya,
Ek Sahab Abu Fakiya Raziyllahu Anhu they ,Ye Safwaan bin Umayya Raziyllahu Anhu ke Gulaam they,Ye Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu ke Saath hi Musalman hue they, Safwaan bin Umayya Raziyllahu Anhu bhi ibtida me Musalmano ke sakht mukhalif they ,Wo Fateh makka ke baad islam laye they,
★_ Ek Roz inhone Hazrat Fakiya Raziyllahu Anhu ko Garam Ret per Lita rakha tha, Ese me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu us taraf se guzre, Us Waqt Safwaan bin Umayya Raziyllahu Anhu ye Alfaz keh rahe they :-
"_ ise abhi aur Azaab do , Yaha'n tak k Muhammad Yaha'n aa Kar Apne Jaadu se ise nijaat dilaye _,"
Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne usi Waqt Safwaan bin Umayya Raziyllahu Anhu se inhe Khareed Kar Azaad Kar diya,
★__ Isi Tarah Zunera Raziyllahu Anha naami ek Aurat ko musalman hone ki buniyad per is qadar Khofnaak sazae'n di gayi k wo bechari andhi ho gayi ,Ek Roz Abu Jahal ne unse Kaha :- Jo Kuchh Tum per beet rahi hai,Ye Sab Laat v Uzza Kar rahe Hai'n _,"
Ye Sunte hi Zunera Raziyllahu Anha ne Kaha :- Hargiz nahi ,Allah ki qasam, Laat v Uzza na koi nafa pahuncha Sakte Hai'n na koi nuqsaan..ye Jo Kuchh ho raha Hai,Aasmaan wale ki marzi se ho raha Hai,Mere Parwardigaar ko ye bhi Qudrat hai k wo mujhe Meri Aankho'n ki Roshni lota de _,"
★__ Doosre Ye subeh uthi to inki Aankho'n ki Roshni Allah Ta'ala ne lota di thi , is Baat Ka jab Kaafiro ko pata Chala to Wo bol uthe :- Ye Muhammad Ki Jaadugari hai ,
Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne inhe bhi khareed Kar Azaad Kar diya,
Aapne Zunera Raziyllahu Anha ki beti ko bhi khareed Kar Azaad Kiya , isi Tarah Nahdiya Naam ki ek Baandi thi ,Inki Ek beti bhi thi ,Dono Waleed bin Mugira ki baandiya'n thi ,inhe bhi Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu ne Azaad Kar diya,
★__ Aamir bin Fahira ki Behan aur unki Walda bhi imaan le aayi thi ,Ye Hazrat Umar ke musalman hone se Pehle unki baandiya'n thi, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne inhe bhi khareed Kar Azaad Kar diya,
Imaan lane wale Jin logo per zulm dhaaye gaye unme SE ek Hazrat Khabbaab bin Art Raziyllahu Anhu bhi Hai'n , Kaafiro ne inhe islam se fairne ki koshishe ki Magar ye Saabit qadam rahe ,inhe Jahiliyat ke zamane me giraftaar Kiya gaya tha, Fir inhe Ek Aurat Umme Anmaar ne khareed liya, Ye Ek lohaar they ,Nabi Kareem ﷺ inki diljoi farmate farmate they,Jab ye musalman ho gaye aur Umme Anmaar ko ye Baat Maloom hui to Usne inhe Bahut Khofnaak sazae'n di,Wo Lohe Ka kada le Kar aag me Garam Karti ,Khoob Surkh Karti ,Fir usko Hazrat Khabbaab Raziyllahu Anhu ke Sar per rakh deti , Aakhir Hazrat Khabbaab Raziyllahu Anhu ne Aap ﷺ se Apni musibat Ka Zikr Kiya to Aapne inke liye Dua farmayi,
Nabi Kareem ﷺ ki Dua ke foran baad us Aurat ke Sar me Shadeed dard shuru ho gaya , isse Wo Kutto ki Tarah bhonkti thi , Akhir Kisi ne use ilaaj bataya k wo loha tapa Kar Sar per rakhwaye ,Usne ye Kaam Hazrat Khabbaab Raziyllahu Anhu ke zimme lagaya ,Ab Aap Wo halqa khoob garam Kar Ke Uske Sar per rakhte ,
★_ Hazrat Khabbaab Raziyllahu Anhu farmate hai'n k ek Roz Mai'n Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me Gaya aur Wo zamana tha Jab Hum per khoob zulm Kiya jata tha, Maine Aap ﷺ se Arz Kiya :- Ey Allah ke Rasool, Kya Aap Hamare liye Dua nahi farmate _,"
Mere Alfaz Sunte hi Aap sidhe ho Kar beth gaye,Aapka Chehra Mubarak Surkh ho gaya,Fir Aapne farmaya :-
"_ Tumse pehli Ummat ke logo ko Apne Deen ke liye Kahi'n zyada Azaab Bardasht Karne pade , Unke Jismo per Lohe ki kanghiya'n ki Jati thi ,Jisse Unki Khaal aur Haddiya'n alag ho jati thi ,Magar ye takaleef bhi Unhe unke Deen se na hata saki ,Unke Saro per Aare Chala Chala Kar unke Jism do Kar diye gaye Magar Wo Apna Deen chhodne per Taiyaar fir bhi na hue ,
is Deene islam ko Allah Ta'ala is Tarah faila dega k San'aa ke Muqaam se Hazar Mot Jane wale sawaar ko Sivaye Allah Ta'ala ke Kisi Ka Khof nahi hoga , Yaha'n tak k charwaahe ko Apni Bakriyo'n ke mutalliq Bhaidiyo'n Ka Dar nahi Hoga _,"
★__ Hazrat Khabbaab bin Art Raziyllahu Anhu farmate hai'n Ek Din mere liye Aag dehkayi gayi ,Fir Wo Aag mere Kamar per rakh di gayi aur fir usko us Waqt tak nahi hataya gaya jab tak k wo aag Meri Kamar ki charbi se bujh na gayi _,"
★__ Ese hi logo me Hazrat Ammaar bin Yaasir Raziyllahu Anhu bhi they, Hazrat Ammaar bin Yaasir Raziyllahu Anhu ko unke Deen se fairne ke liye Mushriko ne Tarah Tarah ke zulm kiye ,Aag se jala jala Kar Azaab diye ,Magar Wo Deen per Qaa'im rahe ,
★__ Allama ibne Jozi Rehmatullah likhte Hai'n:-
"_ Ek martaba Aan'Hazrat ﷺ us taraf Tashreef le ja rahe they,us Waqt Hazrat Ammaar Raziyllahu Anhu ko Aag se jala Kar Takleef pahunchayi ja rahi thi, Unki Kamar per jalne ki vajah se Kodh Jese Safed daag pad gaye they , Aan'Hazrat ﷺ ne unke Sar per Haath faira aur farmaya :-
"_Ey Aag thandi aur Salaamti wali ban ja ,Jesa k Tu Ibrahim Alaihissalam Ke liye ho gayi thi _,"
Is Dua ke baad Unhe Aag ki Takleef mehsoos nahi Hoti thi ,
★__ Hazrat Umme Haani Raziyllahu Anha kehti Hai'n k Hazrat Ammaar bin Yaasir,Unke Waalid Yaasir ,Unke Bhai Abdullah aur unki Walda Sumayya Raziyllahu Anhum ,in Sabhi ko Allah Ka Naam Lene ki vajah se sakht tareen Azaab diye gaye ,Ek Roz Jab inhe Takleef pahunchayi ja rahi thi to Nabi Kareem ﷺ us taraf se guzre, Aapne inki takaleef ko dekh kar farmaya:- Ey Allah ,Aale Yaasir Ki magfirat farma_,"
★_ Inki Walda Sumayya Raziyllahu Anha ko Abu Jahal ke chacha Huzefa bin ibne Mugira ne Abu Jahal ke hawale Kar diya, Ye uski Baandi thi ,Abu Jahal ne inhe neza maara ,isse Wo Shaheed ho gayi ,is Tarah islam me inhe Sabse Pehli Shaheed hone Ka aizaaz haasil hua ,Aakhir inhe Mazalim ki vajah se Hazrat Ammaar Raziyllahu Anhu ke Waalid Yaasir Raziyllahu Anhu bhi Shaheed ho gaye ,
╨─────────────────────❥
: ★_ Apne in Mazalim aur Badtareen Harkaat ke Saath Saath ye log Huzoor Akram ﷺ se Mo'jzaat Ka mutalba bhi Karte rehte they ,
Ek Roz Abu Jahal doosre Sardaaro ke Saath Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke paas Aaya aur bola :-
"_ Ey Muhammad ! Agar tum Sachche ho to Hume Chaand ke do tukde Kar Ke dikha'o,Wo bhi is Tarah k Ek tukda Abu Qabays Pahaad per Nazar aaye aur Doosra Qaiqiyan Pahaad per Nazar aaye_,"
"_ Matlab ye tha k Dono tukde kaafi faasle per ho Taki Uske do tukde hone me koi shak na reh Jaye _,,
★__ Us Roz mahine ki chodhvi Tareekh thi ,Chaand Poora tha ,Aap ﷺ ne unki ye Azeeb farma'ish sun Kar farmaya :- Agar Mai'n esa Kar dikhau'n to kya tum imaan le aaoge _,"
Unhone ek Zubaan ho Kar Kaha :- Haa'n bilkul hum imaan le aayenge _,"
Aap ﷺ ne Allah Ta'ala se Dua farmayi k Aapke Haath se esa ho Jaye , Chunache Chaand foran do tukde ho gaya, Uska Ek hissa Abu Qabays ke Pahaad ke Ouper Nazar Aaya ,doosra Qaiqiyan Pahaad per,
★__ Us Waqt Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya :- Lo ab Gawahi do _,"
Unke dilo per to Qifl pade they ,Kehne lage :- Muhammad ne hum logo ki Aankho'n per jaadu Kar diya hai_,"
Kuchh ne Kaha :- Muhammad ne Chaand per Jaadu Kar diya hai Magar unke Jaadu Ka Asar Saari Duniya ke logo per nahi ho Sakta _,"
"_ Matlab ye tha k har Jagah ke log Chaand ko do tukde nahi dekh rahe honge ,Ab unhone Kaha :- Hum doosre Shehro se Aane walo se ye Baat puchhenge _,"
★__ Chunache jab Makka me doosre Shehro ke log dakhil hue to unhone Chaand ke bare me unse Puchha ,Aane wale sab logo ne Yahi Kaha :- Haa'n Haa'n ! Humne bhi Chaand ko do tukde Hote dekha hai _,"
Ye Sunte hi Mushrik bol uthe :- Bas ! Fir to ye aam jadu hai ,iska Asar sab per hua hai _,"
Kuchh ne Kaha :- Ye Ek esa Jaadu hai Jisse Jadugar bhi mutassir hue Hai'n _,"
Yani Jaadugaro ko bhi Chaand do tukde nazar Aaya hai _,
★__ Is per Allah Ta'ala ne Surah Qamar ki Aayat Naazil farmayi :-
"_ (Tarjuma) :- Qayamat Nazdeek aa pahunchi aur Chaand shaq ho gaya aur ye log koi Mo'jza dekhte Hai'n to Taal dete Hai'n aur Kehte Hai'n Ye Jaadu hai Jo abhi Khatm ho Jayega _,"
★__ Mukhtalif Qaumo ki Tareekh se ye Baat Saabit Hoti Hai k Chaand Ka do tukde Hona Sirf Makka me Nazar nahi Aaya tha Balki doosre Mulko me bhi iska mushahida Kiya gaya tha _,
Isi Tarah Ek din Mushrikeen ne Kaha :-
"_ Agar Aap waqa'i Nabi Hai'n to in Pahaado ki hata dijiye jinki vajah se Hamara Shehar tang ho raha Hai,Taki Hamari Aabaadi fayl Kar bas Jaye aur Apne Rab SE keh Kar esi nehre jaari Kara de'n Jesi Shaam aur iraaq me Hai'n aur Hamare Baap Daada'o ko dobara zinda Kara ke dikha'o , Un dobara zinda hone walo me Qusa'i bin Kilaab Zaroor ho ,isliye k wo Nihayat Daana aur Aqalmand buzurg tha ,Hum usse puchhenge ,Aap Jo Kuchh Kehte Hai'n Sach hai ya Jhoot ,
Agar Hamare in buzurgo ne Aapki tasdeeq Kar di aur Aapne Hamare ye mutalbe Poore Kar diye to hum Aapki Nabuwat Ka iqraar Kar lenge aur Jaan lenge k Aap waqa'i Allah ki taraf se bheje hue Hai'n ,Allah Ta'ala ne Aapko Hamari taraf Rasool Bana Kar bheja hai...jesa k Aap Daava Karte Hai'n_,"
★__ Unki ye baate sun Kar Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya :- Mujhe in baato ke liye Tumhari taraf Rasool Bana Kar nahi bheja gaya Balki Mai'n to is Maqsad ke liye bheja gaya Hu'n k Ek Allah ki ibaadat Karo _,"
: ★__ Ek mushrik Kehne laga :-
"_ Aap is Tarah Khana khate Hai'n Jis Tarah hum khate Hai'n, Usi Tarah bazaaro me chalte Hai'n Jis Tarah hum chalte Hai'n , Hamari Tarah hi Zindgi ki zaruriyaat Poori Karte Hai'n, Lihaza Aapko kya Haq hai k Nabi keh Kar khud Ko numaya Kare'n aur ye k Aapke Saath koi farishta kyu nahi utra Jo Aapki tasdeeq karta _,"
★__ Is per Allah Ta'ala ne Surah Furqaan Ki Aayat 7 Naazil farmayi :-
"_( Tarjuma ) Aur ye Kaafir log Rasulullah ﷺ ki nisbat Yu'n Kehte Hai'n k is Rasool ko kya ho gaya hai k wo Hamari Tarah khata hai aur bazaaro me chalta firta hai,Uske Saath koi farishta kyu nahi bheja gaya k Uske Saath reh Kar daraya karta , Uske Paas gayb se koi khazana aa padta ya Uske Paas koi ( gaybi ) baag hota Jisse ye Khaya karta aur imaan lane walo se ye ye zaalim log ye bhi Kehte Hai'n k tum to Ek Be Aqal Aadmi ki Raah per chal rahe ho _,"
★__ Fir Jab Unhone ye Kaha k Allah Ta'ala ki zaat isse Bahut Buland hai k wo hum hi me SE ek Bande ko Rasool Bana Kar bheje to is per Allah Ta'ala ne Surah Yunus ki Aayat Naazil farmayi :-
"_ ( Tarjuma ) _ Kya in Makka ke logo ko is Baat se Ta'ajjub hua k Humne unme SE ek Shakhs ke paas wahi bhej di k sab Aadmiyo'n ko Allah Ke ahkamaat ke khilaf chalne per daraye aur Jo imaan le Aaye, Unhe Khush Khabri suna de'n k Unhe Apne Rab ke paas pahunch Kar Poora martaba milega _,"
★__ Iske baad un logo ne Aap ﷺ se Kaha :-
"_ Hum per Aasman ke tukde tukde Kar Ke gira do ,Jesa k Tumhara Daava hai k Tumhara Rab Jo Chahe Kar Sakta Hai, Hume Maloom hua hai k Tum Jis Rehmaan Ka Zikr Karte ho Wo Rehmaan Yamaama Ka Ek Shakhs hai ,Wo tumhe ye baate sikhata hai ,Hum log Allah ki qasam Kabhi Rehmaan per imaan nahi layenge _,"
★__ Yaha'n Rehmaan se Un logo ki muraad Yamaama ke Yahoodi Kaahin se thi , is Baat ke Jawab me Allah Ta'ala ne Surah Ar Ra'ad ki Aayat 30 Naazil farmayi :-
"_ ( Tarjuma)_ Aap farma dijiye k Wohi Mera murabbi hai aur nigehbaan hai , Uske Siva koi ibaadat ke qaabil nahi ,Maine usi per bharosa Kar liya aur uski ke paas mujhe Jana hai _,"
Us Waqt Aap per Ranj aur Gam ki kaifiyat taari thi ,Aapki Ayn khwahish thi k wo log imaan qubool Kar Le'n ,Lekin esa na ho saka, isliye gamgeen they, isi Haalat me Aap waha'n se uth gaye ,
: ★__ Mushrikeen ne is qism ki aur bhi farma'ishe ki ,Kabhi Wo Kehte Safa Pahaad ko sone Ka Bana Kar dikha'o, Kabhi Kehte Sidi ke zariye Aasman per Chad Kar dikha'o aur Farishto ke Saath waapas aao , Unki Tamaam baato ke Jawab me Allah Ta'ala ne Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ko Aapki khidmat me bheja, Unhone aa Kar Kaha :-
"_ Ey Muhammad ﷺ Allah Ta'ala Aapko salaam farmate hai'n aur farmate hai'n k agar Aap Chahe to Safa Pahaad ko sone Ka Bana diya Jaye ,isi Tarah unke Jo mutalbaat Hai'n Unko bhi Poora Kar diya Jaye , Lekin iske baad bhi agar ye log imaan nahi laye to fir saabqa Qaumo ki Tarah in per holnaak Azaab Naazil Hoga ,Esa Azaab k Aaj tak Kisi Qaum per Naazil nahi hua Hoga aur agar Aap esa nahi chahte to Mai'n in per rehmat aur tauba Ka Darwaza khula rakhunga _,"
Ye sun Kar Aapne arz Kiya:- Baari Ta'ala ! Aap Apni Rehmat aur Tauba Ka Darwaza khula rakhe _,"
★__ Dar Asal Aap jaante they k Quresh ke ye Mutalbaat Jahalat ki buniyad per Hai'n , Kyunki ye log Rasoolo ke bhejne ki hikmat ko nahi jaante they... Rasoolo Ka bheja Jana to dar asal Makhlooq Ka imtehaan hota hai Taki wo Rasoolo ki tasdeeq Kare'n aur Rab Ta'ala ki ibaadat Kare'n ,Agar Allah Ta'ala darmiyaan se saare parde hata de aur sab log Aankho'n se sab Kuchh dekh Le'n to Fir to Ambiya aur Rasoolo ko bhejne ki zarurat hi baqi nahi Rehti aur gayb per imaan lane Ka koi ma'ani hi nahi rehta _,
★__ Makka ke Mushrikeen ne Do Yahoodi Aalimo ke paas Apne Aadmi bheje ,Ye Yahoodi Aalim Madina me rehte they, Dono Qaasido ne Yahoodi Aalimo se Mulaqaat ki aur unse Kaha :- Hum Aapke paas Apna Ek maamla le Kar Aaye Hai'n,Hum logo me Ek Yateem ladka hai ,Uska Daava hai k wo Allah Ka Rasool hai ,
Ye sun Kar Yahoodi Aalim bole :- Hume Uska Huliya bata'o ,
Qaasido ne Nabi Akram ﷺ Ka Huliya bata diya , Tab Unhone puchha :- Tum logo me SE kin logo ne unki Pervi ki hai ?
Unhone Jawab diya:- Kam darje ke logo ne _,"
Ab Unhone Kaha :-
"_ Tum jaa Kar unse Teen Sawaal Karo ,Agar Unhone in teeno sawalaat ke jawabaat de diye to Wo Allah Ke Nabi Hai'n aur agar Jawab na de sake to fir samajh Lena Wo koi jhoota Shakhs hai _,"
╨─────────────────────❥
★__ Teen Sawaal _,*
★__ Pehle unse un nojawano ke bare me Sawaal Karo Jo Pichhe zamane me Kahi'n nikal gaye they, Yani Ashaabe Kahaf ke bare me puchho k unka kya Waqia tha ,isliye k unka Waqia Nihayat Ajeeb v gareeb hai ,Hamari Purani Kitaabo ke alawa is Waqi'e Ka Zikr Kahi'n nahi milega ..Agar Wo Nabi Hai'n to Allah Ta'ala ki taraf se khabar pa Kar unke bare me bata denge ..Varna nahi bata sakenge _,"
Fir unse Ye puchhna k Sikandar Zulqarnain kon tha ,Uska kya qissa hai ,Fir unse Rooh ke bare me puchhna k wo kya cheez hai _,"
Agar Unhone Pehle Dono sawaalo Ka Jawab de diya aur Unka Waqia bata diya aur Teesre Sawaal Yani Rooh ke bare me bata diya to Tum log samajh Lena k wo Sachche Nabi Hai'n, is Soorat me Tum unki Pervi karna ,
★__ Ye log ye Teen Sawalaat le Kar waapas Makka Aaye aur Quresh SE Kaha :- Hum esi cheez le Kar Aaye Hai'n k isse Hamare aur Muhammad ke darmiyaan Faisla ho Jayega _,"
Iske baad Unhone sabko tafseel sunayi ,Ab ye Mushrikeen Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke paas Aaye, Unhone Aap SE Kaha :-
"__ Ey Muhammad ! Agar Aap Allah Ke Sachche Rasool Hai'n to Hamare Teen Sawalaat ke Jawabaat bata de'n, Hamara Pehla Sawal ye Hai k Ashaabe Kahaf kon they ? Doosra Sawaal hai k Zulqarnain kon they ? Aur Teesra Sawaal ye Hai k Rooh kya cheez hai ?
Aapne Unke Sawalaat sun Kar farmaya :- Mai'n in Sawalaat ke Jawabaat tumhe Kal dunga _",
★__ Nabi Akram ﷺ ne is Jumle me "_in Sha Allah_" na farmaya ,Yani ye na farmaya " in sha Allah Mai'n tumhe Kal Jawab dunga _,"
Quresh Aapka Jawab sun Kar waapas chale gaye, Aan'Hazrat ﷺ wahi Ka intezar Karne lage ,Lekin wahi na aayi ,Doosre Din Wo log aa gaye, Aap Unhe koi Jawab na de sake,Wo log lage baate Karne , Unhone ye tak keh diya :- Muhammad ke Rab ne inhe Chhod diya _,"
Un logo me Abu Lahab ki Bivi Umme Jameel bhi thi ,Usne bhi ye Alfaz kahe :- Mai'n dekhti Hu'n k Tumhare Maalik ne tumhe Chhod diya hai aur Tumse Naraaz ho gaya hai _,"
★__ Nabi Akram ﷺ ko Quresh ki ye baate Bahut shaaq guzri ,Aap Bahut Pareshan aur gamgeen ho gaye, Aakhir Jibraiyl Alaihissalam Surah Kahaf le Kar Naazil hue ,Allah Ta'ala ki taraf se Aapko hidayat ki gayi :-
"_ Aur Aap Kisi Kaam ki nisbat Yu'n na Kaha kijiye k isko Kal Kar dunga Magar Allah Ke chahne ko Mila liya kijiye ( Yani in sha Allah Kaha kijiye ) Aap Bhool Jaye'n to Apne Rab Ka Zikr kya kijiye aur Keh dijiye k mujhe Ummeed hai Mera Rab mujhe ( Nabuwat ki daleel banne ke aitbaar se ) isse bhi Nazdeek tar Baat bata dega _," *( Surah Kahaf )*
"__ Matlab ye tha k Jab Aap ye Kahe'n k Aainda Fala Waqt per Mai'n ye Kaam karunga to Uske Saath in sha Allah Zaroor Kaha Kare'n ,Agar Aap us Waqt Apni Baat ke Saath in sha Allah milana Bhool Jaye'n aur baad me Yaad aa Jaye to us Waqt in sha Allah keh diya Kare'n , isliye k Bhool Jane ke baad Yaad Aane per Wo in sha Allah keh dena bhi esa hai Jese guftgu ke Saath keh dena hota hai ,
★__ Is moqe per Wahi me Dayr is bina per hui thi k Aapne in sha Allah nahi Kaha tha,Jab Jibraiyl Alaihissalam Surah Kahaf le Kar Aaye to Aapne unse Puchha tha :- Jibraiyl tum itni muddat mere paas Aane SE ruke rahe isse tashveesh paida hone lagi thi _,"
Jawab me Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ne arz Kiya :-
"_ Hum Aapke Rab ke Hukm ke bager na Ek zamane SE doosre zamane me dakhil ho sakte Hai'n,na Ek Jagah se Doosri Jagah ja sakte Hai'n,Hum to Sirf Uske Hukm per Amal Karte Hai'n aur Ye Jo Kuffar keh rahe Hai'n k Aapke Rab ne Aapko Chhod diya hai to Aapke Rab ne Aapko hargiz nahi chhoda balki ye sab uski hikmat ke mutabiq hua hai _,"
★__ Fir Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ne Aapko Ashaabe Kahaf ke bare me bataya, Zulqarnain ke bare me bataya aur Fir Rooh ke bare me wazahat ki ,
Ashaabe Kahaf ki tafseel Tafseer ibne Kaseer ke mutabiq Yu'n hai :--
"_ Woh Chand Nojawan they ,Deene Haq ki taraf Maa'il ho gaye they aur Raahe Hidayat per aa gaye they ,Ye Nojawan parhezgaar they ,Apne Rab Ko Ma'abood maante they Yani Toheed ke Qaa'il they ,imaan me Roz ba Roz bad rahe they aur Ye Log Hazrat Iysaa Alaihissalam Ke Deen per They ,Lekin Baaz Rivayaat se ye bhi Maloom hota hai k Ye waqi'a Hazrat Iysaa Alaihissalam se Pehle Ka Hai , isliye k Ye Sawaal Yahoodiyo'n ne Puchhe they aur iska Matlab ye Hai k Yahoodiyo'n ki Kitaabo me ye waqi'a mojood tha, isse Yahi Saabit Hota Hai k Ye waqi'a Hazrat Iysaa Alaihissalam se Pehle Ka Hai ,
★__ Qaum ne inki mukhalfat ki ,in logo ne Sabr Kiya , Us Zamane ke Baadshah Ka Naam Daqiyanoos tha ,Wo mushrik tha , Usne sabko Shirk per laga rakha tha,Tha bhi Bahut Zaalim, But parasti karata tha , Waha'n Salaana mela Lagta tha, Ye Nojawan Apne Maa'n Baap ke Saath us mele me gaye , Waha'n inhone But Parasti Hote dekhi ,Ye waha'n se bezaar ho Kar Nikal Aaye aur Sab Ek Darakht ke niche Jama ho gaye, isse Pehle ye log alag alag they ,Ek doosre ko jaante nahi they ,Aapas me Baat Cheet shuru hui to Maloom hua Ye sab But parasti se bezaar ho Kar mele se chale Aaye Hai'n ,Ab ye aapas me ghul mil gaye , inhone Allah ki ibaadat ke liye ek Jagah muqarrar Kar li ,Rafta Rafta mushrik Qaum ko inke bare me pata chal gaya , Wo inhe Pakad Kar Baadshah ke paas le gaye, Baadshah ne inse Sawalaat kiye to inhone Nihayat dileri se shirk se Bari hone Ka elaan Kiya , Baadshah aur Darbariyo ko bhi Toheed ki Dawat di ,
★__ Inhone Saaf keh diya ,Hamara Rab Wohi hai Jo Aasman aur Zameen Ka khaliq hai aur ye na Mumkin hai k hum Uske Siva Kisi aur ki ibaadat Kare'n , Unki is saaf goyi per Baadshah bigda , Usne inhe daraya dhamkaya aur Kaha k agar ye Baaz na aaye to Mai'n inhe sakht Saza dunga _,"
Baadshah Ka Hukm sun Kar inme koi kamzori paida na hui ,inke Dil aur Mazboot ho gaye Lekin Saath hi inhone mehsoos Kar liya k Yaha'n reh Kar wo Apni Deendari per Qaa'im nahi reh sakenge , isliye inhone sabko Chhod Kar waha'n SE nikalne Ka iraada kar liya , Jab ye log Apne Deen ko bachane ke liye Qurbani dene per Taiyaar ho gaye to in per Allah Ta'ala ki Rehmat Naazil hui ,inse Farma diya gaya :-
"_ Ja'o Tum Kisi gaar me panaah Haasil Karo tum per Tumhare Rab ki Rehmat hogi aur Wo Tumhare Kaam me Asaani aur Raahat muhayya farmayega _,"
★__ Pas ye log moqa pa Kar Waha'n se bhaag nikle aur ek Pahaad ke gaar me Chhup gaye ,Qaum ne inhe har taraf Talash Kiya Lekin Wo na mile ...Allah Ta'ala ne inhe unke dekhne se Aajiz Kar diya...bilkul isi qism Ka Waqia Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke Saath pesh Aaya tha jab Aapne Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ke Saath Gaare Sor me panaah li thi ,Lekin Mushrikeen gaar ke moonh tak Aane ke bavjood Aapko nahi dekh sake they ,
Is Waqi'e me bhi Chand Rivayaat me tafseel is Tarah hai k Baadshah ke Aadmiyo'n ne inka puchha Kiya tha aur gaar tak pahunch gaye they,Lekin gaar me Wo in logo ko Nazar nahi Aaye they,
Qurane Kareem Ka elaan hai k us gaar me subeh v Shaam dhoop aati Jati Hai ,
Ye gaar Kis Shehar ke Kis Pahaad me hai ,Ye yaqeeni tor per Kisi Ko Maloom nahi....fir Allah Ta'ala ne in per neend taari Kar di ,Allah Ta'ala inhe Karwate badalwate rahe ,inka Kutta bhi gaar me inke Saath tha ,
★__ Allah Ta'ala ne Jis Tarah Apni Qudrate Kaamila se inhe sula diya tha ,usi Tarah inhe jaga diya ,Wo 309 Saal tak sote rahe they, ab 309 Saal baad jaage to bilkul ese they Jese abhi Kal hi soye they ,
★__ inke Badan ,Khaal ,Baal garz har cheez bilkul Sahi Salamat thi ,Yani Jese site Waqt they bilul wese hi they ,Kisi qism ki koi Tabdeeli waqe nahi hui thi, Wo aapas me Kehne lage :- Kya Bha'i ! Bhala hum Kitni Dayr tak sote rahe Hai'n ?
Ek ne Jawab diya :- Ek Din ye isse bhi kam _,"
"_ Ye Baat Usne isliye kahi thi k wo subeh ke Waqt soye they aur jab jaage to Shaam Ka Waqt tha , isliye Unhone Yahi khayal Kiya k wo Ek Din ya usse Kam soye Hai'n, Fir Ek ne ye keh Kar Baat Khatm Kar di :- iska durust ilm to Allah ko hai _,"
★__ Ab inhe Shadeed Bhook Pyaas Ka ahsaas hua , Unhone socha Bazaar SE Khana mangwana Chahiye ,Paise unke paas they , inme se Kuchh Wo Allah Ke Raaste me kharch Kar chuke they, Kuchh inke paas baqi they , Ek ne Kaha :-
"_ Humme SE koi Paise le Kar Bazaar Chala Jaye aur Khane ki koi Pakiza aur Umda cheez le aaye aur jaate hue aur aate hue is Baat Ka khayal rakhe k Kahi'n logo ki Nazar us per na pad Jaye , Sauda Khareedte Waqt bhi Hoshiyari se Kaam le ,Kisi ki nazro me na Aaye ,Agar Unhe Hamare bare me Maloom ho gaya to Hamari Khayr nahi , Daqiyanoos ke Aadmi abhi tak Hume Talash Karte fir rahe honge _,"
★"__ Chunache unme se ek gaar se Bahar nikla , Use Saara naqsha hi Badla Nazar Aaya ,Ab use kya Maloom tha k Wo 309 Saal tak sote rahe they, Usne dekha koi cheez Apne Pehle haal per nahi thi , Shehar me use koi bhi Jana pehchana Nazar na Aaya ,Ye Hairaan tha , Pareshan tha aur dare dare Andaz me aage bad raha tha ,Uska dimaag chakra raha tha, Soch raha tha kal Shaam to hum is Shehar ko Chhod Kar gaye they fir ye Achanak kya ho gaya hai, Jab zyada pareshan hua to Usne Apne Dil me Faisla kiya ,Mujhe jald az jald sauda Kar Ke Saathiyo'n ke paas pahunch Jana Chahiye, Aakhir wo Ek Dukaan per pahuncha , Dukaandar ko Paise diye aur khane pine Ka Samaan talab Kiya , Dukaandar us Sikke ko dekh Kar Hairatzada reh gaya ,Usne Wo sikka Saath wale Dukaandar ko dikhaya aur Bola :- Bha'i Zara dekhna , Ye sikka kis zamane Ka Hai ?
Usne doosre ko diya ,is Tarah Sikka Ka'i Haatho me ghoom gaya , Ka'i Aadmi waha'n Jama ho gaye,
★__ Aakhir Unhone usse puchha :- Tum ye Sikka Kaha'n se laye ho ? Tum kis Mulk ke rehne wale ho ?
Jawab me Usne Kaha - Mai'n to isi Shehar Ka rehne wala Hu'n,Kal Shaam hi ko to Yaha'n se gaya Hu'n, Yaha'n Ka Baadshah Daqiyanoos hai _,"
Wo sab uski Baat sun Kar hans pade aur bole :- Ye to koi paagal hai ,ise Pakad Kar Baadshah ke paas le chalo _,"
Aakhir use Baadshah ke Saamne pesh Kiya gaya, Waha'n usse sawalaat hue ,Usne Tamaam haal keh sunaya ,
Baadshah aur sab log uski kahani sun Kar Hairatzada reh gaye , Aakhir Unhone Kaha :- Achchha Theek hai ,Tum Hume Apne Saathiyo'n ke paas le chalo ...Wo gaar Hume bhi dikha'o _,"
★__ Chunache sab log Uske Saath gaar ki taraf rawana hue, Un Nojawano se mile aur Unhe bataya k Daqiyanoos ki Badshaahi Khatm hue Teen Sadiya'n beet chuki hai aur ab Yaha'n Allah Ke Nek Bando ki hukumat hai , Bahar Haal un nojawano ne Apni Baqi'a Zindgi usi gaar me guzaari aur Wahi'n wafaat payi ,Baad me logo ne unke Aizaaz ke tor per Pahaad ki bulandi per ek Masjid tameer ki thi _,
"_ Ek Rivayat ye bhi Hai k Jab Shehar Jane wala pehla Nojawan logo ko le Kar gaar ke qareeb pahuncha to Usne Kaha :- Tum log yahi'n thehro , Mai'n Ja Kar Unhe khabar Kar du'n ,
Ab ye unse alag ho Kar gaar me dakhil ho gaya, Saath hi Allah Ta'ala ne un per bhi neend taari Kar di... Baadshah aur Uske saathi use Talash Karte reh gaye ...na Wo Mila aur na hi Wo gaar Unhe Nazar Aaya ,Allah Ta'ala ne unki nazro se gaar ko aur un sabko chhupa diya _,
★__ Unke bare me log khayal Zaahir Karte rahe k wo Saat they ,Aathva unka Kutta tha ,Ya Wo no they ,Dasva unka Kutta tha,Baharhaal unki ginti Ka Sahi ilm Allah hi ko hai ,
Allah Ta'ala ne Apne Nabi ﷺ se irshad farmaya:-
"_ Unke bare me zyada bahas na Kare'n aur na unke bare me Kisi se daryaft Kare'n ( Kyunki unke bare me log Apni taraf se baate Karte Hai'n koi Sahi daleel unke paas nahi )
★__ Mushrikeen Ka doosra Sawaal tha , Zulqarnain kon tha ? Zulqarnain ke bare me Tafsilaat Yu'n milti Hai'n :-
"_ Zulqarnain ek Nek ,Khuda Raseeda aur Zabardast Baadshah tha ,Unhone Teen badi muhimaat sar ki , Pehli Muhim me wo us Muqaam tak pahunche Jaha'n Suraj guroob hota hai, Yaha'n Unhe ek esi Qaum Mili Jiske bare me Allah ne Unhe Akhtyar diya k Chahe to us Qaum Ko Saza de'n, Chahe to unke Saath Nek sulook Kare'n _,
Zulqarnain ne Kaha k , Jo Shakhs Zaalim hai Hum use Saza denge aur Marne Ke baad Allah Ta'ala bhi use Saza denge , Albatta Momin Bando ko Nek Badla milega _,"
★__ Doosri Muhim me wo us Muqaam tak pahunche Jaha'n se Suraj Tulu hota hai, Waha'n Unhe ese log mile Jinke Makanaat ki koi Chhat vagera nahi thi ,
Teesri Muhim me wo do ghaantiyo'n ke darmiyaan pahunche , Yaha'n ke log unki Baat nahi samajhte they , Unhone isharo me ya Tarjumaan ke zariye Yajooj Majooj ki tabaah kaariyo'n Ka shikwa Karte hue unse darkhwast ki k wo unke aur Yajooj Majooj ke darmiyaan band bana de'n , Zulqarnain ne Lohe ki Chaadre mangwayi ,Fir unse ek Diwaar bana di , Usme Taamba pighla Kar daala gaya, is Kaam ke hone per Zulqarnain ne Kaha :- Ye Allah Ka fazal hai k mujhse itna bada Kaam ho gaya _,"
Qayamat ke qareeb Yajooj Majooj us Diwaar ko todne me Kamyaab ho Jayenge ,
★__ Zulqarnain ke bare me Mukhtalif wazahate Kitaabo me milti Hai'n, Qarnain ke ma'ani do simto ke Hai'n , Zulqarnain Duniya ke do kinaaro tak pahunche they isliye Unhe Zulqarnain Kaha gaya , Baaz ne Qarnain ke ma'ani Seeng ke liye Hai'n ,Yani Do Seengo wale ,Inka Naam Sikandar tha ,Lekin ye Unaan ke Sikandar nahi Hai'n Jise Sikandare Aazam Kaha jata hai, Yunaani Sikandar Kaafir tha Jabki ye Muslim aur Wali Allah they ,Ye Saam bin Nooh Alaihissalam ki Aulaad me se they , Khizr Alaihissalam inki fauj Ka jhanda Uthane wale they ,
★__ Teesra Sawaal Yani Rooh ke bare me Allah Ta'ala ne irshad farmaya :-
"_ Ye log Aapse Rooh ke bare me puchhte Hai'n ,Aap farma dijiye k Rooh mere Rab ke Hukm se Qaa'im hai ,Yani Rooh ki Haqeeqat usi ke ilm me hai ,Uske Siva is bare me koi nahi jaanta ,
Rooh ke bare me Yahoodiyo'n ki Kitaabo me bhi bilkul Yahi Baat darj thi k Rooh Allah Ke Hukm SE Qaa'im hai ,Uska ilm Allah hi ke paas hai AUR Usne Apne Siva Kisi Ko nahi diya ,
Yahoodiyo'n ne Mushriko se Pehle hi keh diya tha k agar Unhone Rooh ke mutalliq Kuchh bataya to samajh Lena ,Wo Nabi nahi Hai'n, Agar Sirf ye Kaha k Rooh Allah Ke Hukm SE Qaa'im hai to samajh Lena k wo Sachche Nabi Hai'n, Aapne bilkul Yahi Jawab irshad farmaya,
╨─────────────────────❥
: *★_ Mushrikeen Ki Gustakhiya'n _,*
__ Ek Roz Huzoor Nabi Kareem ﷺ Apne Chand Sahaba Raziyllahu Anhum ke Saath Masjide Haraam me Tashreef farma they ,Ese me Qabila Zaid Ka Ek Shakhs waha'n Aaya ,Us Waqt Nazdeek hi Qureshe Makka bhi majma lagaye Waha'n Bethe they, Qabila Zaid Ka wo Shakhs unke Nazdeek gaya aur ird gird ghoomne laga ,Fir Usne Kaha :-
"_ Ey Quresh, Koi Shakhs kese Tumhare ilaaqe me dakhil ho Sakta Hai AUR koi Taajir kese Tumhari sarzameen per aa Sakta Hai Jabki tum har Aane wale per zulm Karte ho ?
★__ Ye Kehte hue jab Wo us Jagah pahuncha Jaha'n Aap ﷺ Tashreef farma they to Aapne usse farmaya :- Tum per kisne zulm Kiya_,"
Usne bataya :- Mai'n Apne Ounto'n me SE Teen Behatreen ount bechne ke liye le Kar Aaya tha Magar Abu Jahal ne Yaha'n un teeno Ounto'n ki asal qeemat se Sirf Ek tihayi qeemat lagayi , aur esa Usne Jaan boojh Kar Kiya , Kyunki Wo Jaanta hai Wo Apni Qaum Ka Sardaar hai ,Uski lagayi hui qeemat se zyada raqam koi nahi lagayega ,Matlab ye k ab mujhe wo ount is qadar Kam qeemat per farokht Karne padenge ,Ye zulm nahi to aur kya hai, Mera Tijarat Ka ye Safar bekaar Jayega _,"
★__ Nabi Kareem ﷺ ne uski Poori Baat sun Kar farmaya :-
Tumhare ount Kaha'n Hai'n _,"
Usne bataya :- Yahi'n Khazurah ke Muqaam per hai _,"
Aap us Waqt uthe ,Apne Sahaba ko Saath liya , Ounto'n ke paas pahunche, Aapne dekha ount waqa'i Bahut umda they ,Aapne usse unka Bhaav Kiya aur Aakhir Khush dili se sauda Tay ho gaya, Aapne Wo ount usse khareed liye , Fir Aapne unme SE Do zyada umda farokht Kar diye aur unki qeemat Beva Aurto'n me Taqseem farma di , Wahi'n Bazaar me Abu Jahal betha tha ,Usne ye Sauda Hote hue dekha lekin Ek lafz bol na saka ,Aap Uske Paas Aaye aur farmaya :-
"_ Khabardaar Amru ( Abu Jahal Ka Naam ) agar Tumne Aainda Harkat ki to Bahut sakhti se pesh aaunga _,"
Ye Sunte hi Wo khofzada Andaz me Bola :-
"_ Muhammad , Mai'n Aainda esa nahi karunga ... Mai'n Aainda esa nahi karunga_,"
★_ Iske baad Huzoor Nabi Kareem ﷺ waha'n SE lot Aaye ,idhar Raaste me Umayya bin Khalf Abu Jahal SE Mila ,Uske Saath doosre Saathi bhi they, Un logo ne Abu Jahal SE Puchha :-
"_ Tum to Muhammad ke haatho Bahut ruswa ho Kar aa rahe ho ,Esa Maloom hota hai k ya to tum unki Pervi karna chahte ho ya tum unse khofzada ho gaye ho _,"
Is per Abu Jahal ne Kaha :-
"_ Mai'n Hargiz Muhammad ki Pervi nahi Kar Sakta ,Meri Jo kamzori tum logo ne dekhi hai Uski vajah ye Hai k jab Maine Muhammad ( ﷺ ) ko dekha to unke Daaye'n Baaye'n Bahut saare Aadmi Nazar Aaye ,Unke Haatho me neze aur bhaale they aur Wo unko Meri taraf lehra rahe they, Agar Mai'n us Waqt unki Baat na maanta to Wo sab log mujh per toot padte _,"
★__ Abu Jahal ek Yateem Ka sar parast bana ,fir uska Saara Maal gazb Kar Ke use nikaal baahar Kiya ,Wo Yateem Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke paas Abu Jahal ke khilaf faryaad le Kar Aaya, Huzoor ﷺ us yaeem ko liye Abu Jahal ke paas pahunche, Aapne usse farmaya :- is Yateem Ka Maal waapas Kar do _,"
Abu Jahal ne foran Maal us ladke ke hawale Kar diya _,"
*★__ Mushrikeen ko ye Baat Maloom hui to Bahut Hairaan hue , Unhone Abu Jahal SE Kaha :- Kya Baat hai ? Tum is qadar buzdil kab se ho gaye k foran hi Maal us ladke ke hawale Kar diya_,"
Is per Usne Kaha- Tumhe nahi Maloom, Muhammad ( ﷺ) ke daaye Baaye'n mujhe Bahut Khofnaak hathiyar Nazar Aaye they , Mai'n unse dar gaya ,Agar Mai'n us Yateem Ka Maal na lotata to Wo un hathiyaro se mujhe maar daalte _,"
★__ Qabila Khush'am ki ek shaakh Arasha thi ,Uske Ek Shakhs se Abu jahal ne Kuchh ount khareede ,Lekin qeemat ada na ki ,Usne Quresh ke logo se faryaad ki ,Un logo ne Huzoor Nabi Kareem ﷺ Ka mazaaq udane Ka program banaya, Unhone us Arashi se Kaha :- Tum Muhammad ke paas ja Kar fariyad Karo _,"
Esa Unhone isliye Kiya tha k unka khayal tha k Huzoor Nabi Kareem ﷺ Abu Jahal Ka Kuchh nahi bigaad sakte ,
★_ Arashi Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke paas gaya ,Aapne foran use Saath liya aur Abu jahal ke Makaan per pahunch gaye, Uske Darwaze per dastak di ,Abu Jahal ne andar se Puchha :- Kon hai ?
Aapne farmaya:- Muhammad !
Abu Jahal foran bahar nikal aaya ,Aapka Naam Sunte hi Uska Chehra zard pad chuka tha, Aapne usse farmaya:- is Shakhs Ka Haq foran ada Kar do _,"
Usne Kaha - Bahut Achchha , abhi laya _,"
Usne usi Waqt Uska Haq Ada Kar diya ,ab Wo Shakhs waapas usi Qureshi Majlis me Aaya aur unse Bola :-
Allah Ta'ala un ( Yani Aan'Hazrat ﷺ) ko jazae Khayr de ,Allah ki qasam, Unhone Mera Haq mujhe dila diya _,"
★__ Mushrik Logo ne bhi Apna Ek Aadmi unke Pichhe bheja tha aur usse Kaha tha k wo dekhta rahe , Huzoor Akram ﷺ kya Karte Hai'n, Chunache jab Wo waapas Aaya to unhone usse puchha :- waha'n ,Tumne kya dekha ?
Jawab me Usne Kaha:- Maine Ek Bahut hi Ajeeb aur Hairat naak Baat dekhi hai _,"
Allah ki qasam! Muhammad ne Jese hi Uske Darwaze per dastak di to Wo foran is Haalat me Bahar Nikal Aaya goya Uska Chehra bilkul bejaan aur zard ho raha tha, Muhammad ne usse Kaha k iska haq Ada Kar do ,Wo Bola ,Bahut Achchha , Ye keh Kar wo andar gaya aur usi Waqt Uska Haq la Kar de diya _"
★__ Qureshi Sardaar ye Saara Waqia sun Kar Bahut Hairaan hue ,Ab unhone Abu Jahal SE Kaha :- Tumhe sharm nahi aati ,Jo Harkat Tumne ki esi to Humne Kabhi nahi dekhi _,"
Jawab me Usne Kaha - Tumhe Kya pata , Jo'nhi Muhammad ne mere Darwaze per dastak di aur Maine unki Azwaaz suni to Mera Dil Khof aur Dehshat se bhar gaya ,Fir Mai'n bahar Aaya to Maine dekha k ek Bahut qadaawar ount mere Sar per khada hai ,Maine Aaj tak itna bada ount nahi dekha tha ,Agar Mai'n unki Baat maanne se inkaar kar deta to Wo ount mujhe kha leta _",
★__ Kuchh Mushrik ese bhi they Jo mustaqil tor per Aapka mazaaq udaya Karte they, Allah Ta'ala ne unke bare me irshad farmaya :-
"_ ( Tarjuma)_ Ye log Jo Aap per Hanste Hai'n aur Allah Ta'ala ke Siva doosro ko Ma'abood qaraar dete Hai'n,Unse Aap ke liye hum kaafi Hai'n _, ( Surah Al Hajr ,Aayat -95)
"_ In mazaaq udane walo me Abu Jahal,Abu Lahab ,Uqba bin Mu'iyt,Hakam bhi Aas bin Umayya ( Jo Hazrat Usman Raziyllahu anhu Ka Chacha tha ) aur Aas bin Waa'il shamil they ,
★__ Abu Lahab ki Harkaat me SE ek Harkat ye thi k wo Aan'Hazrat ﷺ ke Darwaze per Gandhi faink Jaya karta tha, Ek Roz Wo Yahi Harkat Kar Ke ja raha tha k use Uske Bhai Hamza Raziyllahu Anhu ne wo Gandhi utha Kar foran Abu Lahab ke Sar per daal di ,
★__ Isi Tarah Uqba bin Mu'iyt Nabi Kareem ﷺ ke Darwaze per Gandhi daal Jaya karta tha, Uqba ne Ek Roz Aapke Chehre mubarak ki taraf thooka ,Wo thook lot Kar usi ke Chehre per aa pada ,Jis Hisse per Wo thook gira , Waha'n Kodh jesa nisaan ban gaya _,"
: ★__ Ek martaba Uqba bin Mu'iyt Safar SE waapas Aaya to Usne Ek Badi Dawat di, Tamaam Qureshi Sardaaro ko khane per bulaya ,is moqe per Usne Aan'Hazrat ﷺ ko bhi bulaya Magar jab Khana mehmano ke Saamne chuna gaya to Aap ﷺ ne khane se inkaar Kar diya aur Farmaya :-
"_ Mai'n us Waqt tak tumhara khana nahi khaunga jab tak k Tum ye na kaho ,Allah Ta'ala ke Siva koi ibaadat ke laa'iq nahi_,"
★__ Chunki Mehmaan Nawazi Arab ke logo ki khaas alamat thi aur Wo Mehmaan ko Kisi qeemat per Naraaz Nahi hone dete they isliye Uqba ne keh diya :- Mai'n Gawahi deta Hu'n k Allah Ke Siva koi Ma'abood nahi _,"
Ye sun Kar Aap ﷺ ne Khana kha liya , Khane ke baad Sab log Apne Ghar chale gaye,Uqba bin Abi Mu'iyt, Ubai bin Khalf Ka dost tha ,Logo ne use bataya k Uqba ne Kalma padh liya hai , Ubai bin Khalf Uske Paas Aaya aur bola:- Uqba , kya tum Be-Deen ho gaye ho ?
Jawab me Usne Kaha :-
"_ Khuda ki qasam ! Mai'n Be-Deen nahi hua ( Yani musalman nahi hua Hu'n ) ,Baat Sirf itni si hai k ek mo'ziz Aadmi mere Ghar Aaya aur Usne ye keh diya k Mai'n jab tak Uske Kehne ke mutabiq Toheed ki gawahi nahi dunga ,Wo mere Yaha'n Khana nahi khayega ,Mujhe is baat SE sharm aayi k Ek Shakhs mere Ghar Aaye aur Khana khaye bager Chala Jaye , isliye Maine wo Alfaz keh diye aur Usne Khana kha liya, Lekin sach Yahi hai k Maine wo Kalma Dil se nahi Kaha tha _,"
★__ Ye Baat sun Kar Ubai bin Khalf Ko itminan na hua ,Usne Kaha :-
"_ Mai'n us Waqt tak na Apni shakl tumhe dikhaunga ,na Tumhari shakl dekhunga jab tak k tum Muhammad Ka moonh na chida'o ,Unke moonh per na thooko aur Unke moonh per na maaro _,"
Ye sun Kar Uqba ne Kaha - Ye Mera Tumse Vaada hai _,
Iske baad jab Huzoor Nabi Kareem ﷺ us bad bakht ke Saamne aaye ,Usne Aapka moonh chidaya ,Aapke Chehre mubarak per thooka ,Lekin Uska thook Aapke Chehre mubarak tak na pahuncha Balki khud Uske moonh per aa Kar gira , Usne mehsoos Kiya ,goya Aag Ka koi Angaara Uske Chehre per aa gaya hai ,Uske Chehre per jalne Ka Nishan baqi reh gaya aur marte dam tak raha ,
★__ Isi Uqba bin Mu'iyt ke bare me Surah Furqaan ki Aayat 37 Naazil hui :-
"_ ( Tarjuma)_ Jis Roz Zaalim Apne Haath kaat kaat Kar khayega aur kehega ,Kya hi Achchha hota Mai'n Rasool ke Saath Deen ki Raah per lag jata _",
Is Aayat Ki Tafseer me Likha hai :-
"_ Jis Roz Zaalim Aadmi jahannam me Kohni tak Apna Ek Haath daanto se kaatega ,Fir doosre Haath ko kaat Kar khayega, Jab doosra kha chuka Hoga to pehla fir ug aayega aur Wo usko kaatne lagega ,Garz is Tarah karta rahega _,"
★__ Isi Tarah Hakam bin Aas Aan'Hazrat ﷺ ke Saath maskharapan karta tha, Ek Roz Aap ﷺ chale ja rahe they,Ye Aapke Pichhe chal pada ,Aapka mazaaq udane ke liye moonh aur naak se Tarah Tarah ki Awaaze nikaalne laga , Aap chalte chalte uski taraf mude aur farmaya :- Tu esa hi ho ja _,"
Chunache Uske baad ye esa hi ho gaya tha k Uske moonh aur naak se esi hi Awaaze nikalti rehti thi , Ek maah tak ye behoshi ki Haalat me raha ,Uske baad Marne tak Uske moonh aur naak se esi hi Awaaze nikalti rahi _,"
★_ Isi Tarah Aas bin Waa'il bhi Aap ﷺ Ka mazaaq udaya Karta tha ,Wo Kaha karta tha :-
"_ Muhammad, Apne Aapko aur Apne Saathiyo'n ko ( na'uzu billaah ) ye keh Kar dhoka de rahe Hai'n k wo Marne Ke baad dobara zinda kiye Jayenge , Khuda ki qasam Hamari Maut Sirf zamane ki gardish aur Waqt ke guzarne ki vajah se aati hai _,"
★__ Isi Aas bin Waa'il Ka Ek Waqia aur hai :- Hazrat Khabbaab Raziyllahu Makka me lohaar Ka kaam Karte they,Talwaare banate they , Unhone Aas bin Waa'il ko Kuchh Talwaare farokht ki thi , Unki isne abhi Qeemat ada nahi ki thi, Khabbaab Raziyllahu Anhu ne usse qeemat Ka taqaza Karne Ke liye gaye to Usne Kaha :- Khabbaab,tum Muhammad ke Deen per chalte ho ,Kya Wo ye Daava Nahi karte k Jannat wali ko Sona ,chaandi ,Qeemti Kapde ,Khidmatgaar aur Aulaad marzi ke mutabiq milegi ?"
Hazrat Khabbaab Raziyllahu Anhu bole :- Haa'n ,Yahi Baat hai _,"
Ab Aas ne inse Kaha :- Mai'n us Waqt tak tumhara qarz nahi dunga jab tak k tum Muhammad ke Deen Ka inkaar nahi Karoge _,"
Jawab me Hazrat Khabbaab Raziyllahu Anhu ne farmaya :- Allah ki qasam Mai'n Muhammad ﷺ Ka Deen nahi chhod Sakta _,"
★__ is Tarah in mazaaq udane walo me se ek Aswad bin yagos bhi tha ,Ye Huzoor ﷺ Ka Maamu zaad tha , Jab bhi Musalmano ko dekhta to Apne Sathiyo'n se Kehta :- Dekho Tumhare Saamne ru'e Zameen ke Wo Baadshah aa rahe Hai'n Jo Kisra aur Qaisar ke waaris banne wale Hai'n _,"
Ye Baat Wo isliye Kehta tha Kyunki Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum me SE Aksar ke libaas fate purane Hote they, Wo muflis aur nadaar they aur Aap ﷺ ye pesh goi farma chuke they k Mujhe Iraan aur Rom ki Saltnato ki kunjiya'n di gayi Hai'n _,"
Aswad Aap ﷺ se ye bhi Kaha karta tha:- Muhammad , Aaj Tumne Aasman ki baate nahi sunayi ,Aaj Aasman ki kya khabre Hai'n _,"
Ye aur iske Saathi jab Aap ﷺ aur Aap ﷺ ke Sahaba Raziyllahu Anhum ko dekhte to Seetiya'n bajate they ,Aankhe matkate they ,
★__ isi qism Ka Ek Aadmi Nazar bin Haaris tha , Ye bhi Aap ﷺ Ka mazaaq udane walo me Shamil tha ,unme SE Aksar log Hijrat SE Pehle hi Mukhtalif Aafato aur Balaa'o me giraftaar ho Kar halaak hue _,
In mazaaq udane walo me se ek Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ke Baap Waleed bin Mugira bhi tha ,Ye Abu Jahal Ka Chacha tha, Quresh ke daulatmand logo me iska shumaar hota tha , Hajj ke zamane me Tamaam Haajiyo'n ko Khana khilata tha ,Kisi Ko chulha nahi jalane deta tha, Log uski Bahut Tareef Karte they, Uske qaseede Padhte they , Uske Bahut SE bagaat they ,Ek Baag to esa tha Jisme Tamaam Saal phal Lagta tha, Lein Usne Aap ﷺ ki is qadar Takaleef Pahunchayi k Aap ﷺ ne Uske liye Bad -Dua farma di , Uske baad iska Tamaam Maal Khatm ho gaya ,Bagaat Tabaah ho gaye, Fir Hajj Ke Dino me koi Uska Naam Lene wala bhi na raha _,"
★__ Ek Roz Jibraiyl Alaihissalam Aap ﷺ ke pass Tashreef laye, Us Waqt Aap ﷺ Baitullah Ka tawaaf Kar rahe they, Jibraiyl Alaihissalam ne aa Kar arz Kiya :- Mujhe Hukm diya gaya hai k Mai'n Aap ﷺ Ko mazaaq udane walo se nijaat dilau'n_,"
Ese me Waleed bin Mugira udhar se guzra , Jibraiyl Alaihissalam ne Aap ﷺ se Puchha :- Aap ise Kesa samajhte Hai'n ?
Aap ﷺ ne farmaya:- Allah Ta'ala Ka Bura Banda hai _,"
Ye sun Kar Jibraiyl Alaihissalam ne Waleed ki pindli ki taraf ishara Kiya aur bole :- Maine use Anjaam tak pahuncha diya _,"
★__ Fir Aas bin Waa'il Saamne se guzra to Jibraiyl Alaihissalam ne Puchha :- ise Aap ﷺ kesa Aadmi pate Hai'n ?
Aap ﷺ ne farmaya :- Ye bhi Ek Bura Banda hai _,"
Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ne Uske Payr ki taraf ishara Kiya aur bole :- Maine use Anjaam tak pahuncha diya hai_,"
Iske baad Aswad waha'n se guzra , Uske bare me Aap ﷺ ne Yahi farmaya k Bura Aadmi hai , Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ne uski Aankh ki taraf ishara Kiya aur bole:- Maine use Anjaam tak pahuncha diya hai _,"
★__ Fir Haaris bin Aytla guzra ,Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ne Uske Pet ki taraf ishara Kar Ke Kaha - Maine use Anjaam tak pahuncha diya hai_"
Is Waqi'e ke baad Aswad bin Yagos Apne Ghar se nikla to usko loo ke thapedo ne jhulsa diya ,Uska Chehra Jal Kar bilkul Siyaah ho gaya,Jab Ye Waapas Apne Ghar me dakhil hua to Ghar ke log use pehchan na sake , Unhone use Ghar se nikaal diya aur Darwaza band Kar diya , Iske Saath hi ye Zabardast Pyaas me mubtila ho gaya, Musalsal Paani Pita rehta tha , Yaha'n tak k Uska Pet fat gaya ,
★__ Haaris bin Aytla ke Saath ye hua k Usne Ek namkeen machhli kha li , Uske baad use Shadeed Pyaas ne aa liya ,Ye Paani Pita raha , Yaha'n tak k Uska bhi pet far gaya ,
Waleed bin Mugira ek Roz ek Shakhs ke paas se guzra ,Wo Shakhs Teer Bana raha tha , ittefaq se ek Teer Uske Kapdo me ulajh gaya ,Waleed ne Takabbur ki vajah se jhuk Kar Uska Teer nikaalne ki Koshish na ki aur aage badhne laga to Wo Teer uski pindli me chubh gaya ,Iski vajah se Zehar fayl gaya aur Wo mar gaya,
Aas bin Waa'il ke talwe me Ek Kaanta chubha , uski vajah se Uske Payr per itna waram aa gaya k wo chakki ke Paat ki taraf chapta ho gaya,is Haalat me uski maut waqe ho gayi ,
Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ki rivayat ke mutabiq ye log Ek hi Raat me halaak hue ,
★__ Nabi Kareem ﷺ ne mehsoos farmaya k Qureshe Makka Musalmano ko be tahasha takaleef pahuncha rahe Hai'n aur Musalmano me abhi itni Taaqat nahi k wo is bare me Kuchh keh sake , Chunache Aap ﷺ ne Musalmano se farmaya :- Tum log ru'e Zameen per idhar udhar fayl jao ,Allah Ta'ala fir tumhe Ek Jagah Jama farma dega _,"
Hum Kaha'n Jaye'n ? Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ne Puchha , Aap ﷺ ne Mulk Habsha ki taraf ishara Karte hue farmaya :-
"_ Tum log Mulk Habsha ki taraf chale Ja'o, isliye k waha'n Ka Baadshah Nek hai ,Wo Kisi per zulm nahi hone deta, Wo Sachchayi ki sar Zameen hai , Yaha'n tak k Allah ttumhari in musibato ka khatma Kar Ke tumhare liye Asaaniya'n paida Kar de _,"
Hadees me aata hai k Jo Shakhs Apne Deen ko bachane ke liye idhar se udhar Kahi'n gaya ,Chahe wo Ek Baalisht hi Chala ,Uske liye Jannat waajib Kar di Jati Hai,
★_ Chunache is Hukm ke baad Bahut SE Musalman Apne Deen ko bachane ke liye Apne watan se Hijrat Kar gaye , inme Kuchh ese bhi they Jinhone Apne Bivi Bachcho samet Hijrat ki , inme Hazrat Usman Gani Raziyllahu Anhu bhi they, Unke Saath unki Bivi Yani Aap ﷺ ki Sahabzadi Hazrat Ruqayya Raziyllahu Anha bhi Hijrat Kar gayi ,
Hazrat Usman Gani Raziyllahu Anhu Sabse Pehle Hijrat Karne wale Shakhs Hai'n ,
★__ isi Tarah Hazrat Abu Salma Raziyllahu Anhu ne bhi Apni Bivi Hazrat Umme Salma ke Saath Hijrat ki , Hazrat Aamir ibne Ubai bin Rabiya Raziyllahu Anhu ne bhi Apni Bivi ke Saath Hijrat ki ,Jin Sahaba ne Tanha Hijrat ki Unke naam ye Hai'n :- Hazrat Abdurrahmaan bin Auf,Hazrat Usman ibne Maz'uon, Hazrat Suhail ibne Bayza, Hazrat Zuber bin Awaam aur Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhum ,
★__ Kuffar ko jab inki Hijrat Ka pata Chala to Wo Ta'aqub me daude , Lekin us Waqt tak ye Hazraat Bahri Jahaaz per sawaar ho chuke they, Wo Jahaaz Taajiro ke they ,is Tarah ye Hazraat Habsha Pahunchne me Kamyaab ho gaye , Kuchh arse baad in logo ne Ek galat khabar suni ,Wo ye thi k Tamaam Qureshe Makka Musalman ho gaye Hai'n , is ittela ke baad Habsha ke Bahut SE muhajireen Makka rawana hue , Nazdeek pahunch Kar pata Chala k ittela galat thi , Ab inhone Habsha Jana munasib na samjha aur Kisi na Kisi ki panaah Haasil Kar Ke Makka me dakhil ho gaye ,
★__ Panaah Haasil Karne wale in Muhajireen ne jab Apne Musalman Bhaiyo'n per usi Tarah Balki Pehle SE bhi Zyada zulm v Sitam dekha to Unhe ye gawara na hua k hum panaah ki vajah se is zulm SE mehfooz rahe'n ,Lihaza inhone Apni Apni Panaah lota di aur Kaha k Apne Bhaiyo'n ke Saath zulm v Sitam Ka saamna karenge ,
╨─────────────────────❥
* *★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu islam late Hai'n_,*
★__ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu us Waqt tak islam se Dushmani per Kamar baandhe hue they,Ek Roz Wo Makka ki ek Gali SE guzar rahe they k unki Mulaqaat ek Qureshi Shakhs se hui ,Unka naam Hazrat Na'iem ibne Abdullah Raziyllahu Anhu tha ,Ye us Waqt tak Apni Qaum ke Khof se Apne islam ko chhupaye hue they, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke haath me Talwaar thi ,Ye pareshan ho gaye ,Unse Puchha k kya iraade Hai'n ?
Wo Bole :- Muhammad ko qatl Karne ja raha Hu'n _,"
Ye sun Kar Hazrat Na'iem Raziyllahu Anhu ne Kaha :- Pehle Apne Ghar ki khabar lo ,Tumhari Behan aur Behno'i Musalman ho chuke Hai'n _,"
★_ Ye sun Kar Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Jalaal me aa gaye,Behan ke Ghar Ka rukh Kiya , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki Behan Ka Naam Fatima tha , Unke Shohar Hazrat Saied bin Zuber Raziyllahu Anhu they ,Ye Ashra Mubashshara me Shamil Hai'n, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke Chacha Zaad Bhai bhi they, idhar khud Hazrat Saied ki Behan Hazrat Aatika Raziyllahu Anha Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki Bivi thi ,
★_ Behan ke Darwaze per pahunch Unhone Kar dastak di , Andar se Puchha gaya - Kon Hai'n ?
Unhone apna Naam bataya to andar rk dam Khamoshi chha gayi ,
Andar us Waqt Hazrat Khabbaab bin Art Raziyllahu Anhu Qur'an padha rahe they, Unhone Foran Qur'an ke awraaq chhupa diye , Hazrat Fatima Raziyllahu Anha ne uth Kar Darwaza khola _,"
★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu foran bole :- Ey Apni Jaan ki Dushman Maine Suna hai Tu be deen ho gayi hai _,
Saath hi Unhone Unhe maara , Unke jism SE Khoon behne laga ,Khoon ko dekh Kar boli :- Umar , Tum Kuchh bhi Kar lo , Mai'n musalman ho chuki Hu'n,
Ab Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Puchha :- Ye Konsi Kitaab tum padh rahe they , mujhe dikha'o ?
Hazrat Fatima Raziyllahu Anha boli :- Ye Kitaab Tumhare Haath me hargiz nahi di ja Sakti , isliye k tum napaak ho , Pehle gusl Kar lo ,Fir dikhayi ja Sakti hai,
★_ Aakhir Unhone gusl Kiya , Fir Qur'an majeed ke awraaq dekhe ,Jese hi unki Nazar Bismillahir Rahmaanir Raheem per padi , UN per Haybat taari ho gayi , Aage Surah Taaha thi , Uski ibtidayi Aayaat padh Kar to unki Haalat gayur ho gayi ,Bole :- Mujhe Rasulullah ( ﷺ) ke paas le chalo ,
Hazrat Khabbaab bin Art Raziyllahu Anhu aur Hazrat Saied bin Zuber Raziyllahu Anhu idhar udhar chhupe hue they, Unke Alfaz sun Kar Saamne aa gaye ,Baaz Rivayaat me ye aata hai k Hazrat Saied bin Zuber Raziyllahu Anhu ko bhi Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne maara pita tha , iska Matlab hai Sirf Hazrat Khabbaab bin Art Raziyllahu Anhu chhupe hue they ,
Bahar Haal us moqe per Wo Saamne aa gaye aur bole :- Ey Umar ! Tumhe basharat ho , Allah Ke Rasool ﷺ ne Dua maangi thi k Ey Allah ,Do Aadmiyo'n me se ek ke zariye islam ko izzat ata farma, Ya to Amru bin Hisham ( Abu Jahal ) ke zariye ya fir Umar bin Khattaab ke zariye ,
★_ Ek Rivayat ke mutabiq Aap ﷺ ne farmaya tha :- in Dono me SE Jo tujhe mehboob ho Uske zariye islam ko izzat ata farma_,"
Aap ﷺ ne ye Dua Budh ke Roz maangi thi ,Jumeraat ke Roz ye waqi'a pesh Aaya , Hazrat Khabbaab bin Art aur Hazrat Saied bin Zuber Raziyllahu Anhum unhe Daare Arqam le gaye,
Darwaze per dastak di gayi , Andar se Puchha gaya- Kon Hai'n ? Unhone Kaha :- Umar ibne Khattaab,
Ye Baat Huzoor Akram ﷺ ko batayi gayi k Darwaze per Umar bin Khattaab Hai'n, Aapne irshad farmaya:- Darwaza khol do ,Agar Allah Ta'ala ne Uske Saath Khayr Ka iraada farmaya hai to hidayat pa lega _,"
★_ Darwaza khola gaya ,Hazrat Hamza Raziyllahu ne Unhe andar Aane ki ijazat di, Fir Do Sahaba ne Unhe Daaye'n Baaye'n SE pakad Ka Aapki khidmat me pahunchaya ,Aapne farmaya :- inhe Chhod do_,
Unhone Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko Chhod diya, Wo Nabi Akram ﷺ ke Saamne Beth Gaye, Aap ﷺ ne unke Kurte Ka Daaman Pakad Kar Unhe Apni taraf kheencha aur farmaya :- Ey ibne Khattaab, Allah Ke liye hidayat Ka Raasta Akhtyar Karo _,
Unhone Foran Kaha :- Mai'n Gawahi deta Hu'n k Allah Ta'ala ke Siva koi Ma'abood nahi aur ye k Aap Allah Ke Rasool Hai'n_,"
★_ Unke ye Alfaz Sunte hi Nabi Akram ﷺ aur Musalmano ne Khushi SE betaab ho Kar is qadar zor SE Takbeer Kahi ,Makka ke goshe goshe tak ye Awaaz pahunch gayi , Aapne teen baar unke Seene per Haath maar Kar farmaya:- Ey Allah ! Umar ke Dil me Jo mail hai Usko nikaal de aur uski Jagah imaan Bhar de _,"
★_ iske baad Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Quresh ke paas pahunche, Unhe k wo islam le Aaye Hai'n , Quresh unke gird Jama ho gaye aur Kehne lage,
Lo Umar bhi Be-Deen ho gaya hai,
Utba bin Rabiya Aap per jhapta , Lekin Aapne use utha Kar Zameen per patakh diya , Fir Kisi Ko unki taraf badne ki zurrat na hui , iske baad Aapne elaan farmaya :- Allah ki qasam, Aaj ke baad musalman Allah Ta'ala ki ibaadat chhup Kar nahi karenge ,
Is per Nabi Akram ﷺ Musalmano ke Saath Daare Arqam se nikle , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Talwaar Haath me le Aage Aage chal rahe they,Wo Kehte ja rahe they :- Laa ilaaha illallaahu Muhammadur Rasulullah_,
Yaha'n tak k sab Haram me dakhil ho gaye, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Quresh se famaya :-Tumme SE Jisne bhi Apni Jagah se Harkat ki ,Meri Talwaar Uska Faisla karegi _,"
╨─────────────────────❥
★☝🏻★: *★__ Boycott _,*
★_ Iske baad Rasulullah ﷺ aur Tamaam Musalmano ne Kaaba Ka tawaaf shuru Kiya , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu aage aage rahe , Musalmano ne Kaabe ke gird Namaz Ada ki ,Sabne Buland Awaaz se Qur'an ki tilawat bhi ki , Jabki isse Pehle Musalman esa nahi Kar Sakte they ,
Ab Tamaam Quresh ne mil Kar Nabi Kareem ﷺ ko qatl Karne Ka Faisla kiya, Unhone Aan'Hazrat ﷺ ke khandaan walo SE Kaha :-
"_ Tum humse doguna Khoon baha le lo aur iski ijazat de do k Quresh Ka koi Shakhs Aan'Hazrat ﷺ ko qatl Kar de ,Taki Hume Sukoon mil Jaye aur Tumhe faayda pahunch Jaye _,"
★__ Aan'Hazrat ﷺ ke khandaan walo ne is Tajveez ko maanne se inkaar Kar diya, is per Quresh ne Gusse me aa Kar ye Tay Kiya k Tamaam Banu Haashim aur Banu Abdul Muttalib Ka Ma'ashrati Boycot Kiya Jaye aur Saath hi Unhone Tay Kiya k Banu Haashim ko bazaaro me na aane Diya Jaye Taki Wo koi cheez na khareed sake , Unse Shadi Biyaah na Kiya Jaye aur na unke liye koi Sulah qubool ki Jaye , Unke maamle me koi Naram dili na Akhtyar ki Jaye , Yani un per Kuchh bhi guzre ,Unke Dil me Raham Ka jazba paida na hone diya Jaye aur ye Boycott us Waqt tak jaari rehna Chahiye jab tak k Bani Haashim ke log Aan'Hazrat ﷺ ko qatl Karne Ke liye Quresh ke hawale na Kar de'n ,
★__ Quresh ne is mu'ahide ki Ba- Qa'yda Tehreere'n likhi ,Us per Poori tarah Amal karane aur Uska Ahatmam Karane ke liye usko Kaabe me latka diya ,is Mu'ahide ke baad Abu Lahab ko Chhod Kar Tamaam Bani Haashim aur Bani Abdul Muttalib Sho'ab Abi Taalib me chale gaye, Ye Makka se Bahar Ek ghaati thi ,
Abu Lahab chunki Quresh Ka pakka tarafdaar aur Aap ﷺ Ka badtareen Dushman bhi tha , isliye us Ghaati me Jane per Majboor na Kiya gaya, Yu'n bhi Usne Nabi Kareem ﷺ ke qatl ke mansoobe me Quresh Ka Saath diya tha, Unki mukhalfat nahi ki thi,
★_ Nabi Akram ﷺ Sho'ab Abi Taalib me mahsoor ho gaye, Us Waqt Aapki Umar Mubarak 46 Saal thi ,
Bukhari me hai k us Ghaati me Musalmano ne Bahut Mushkil aur sakht Waqt guzara ,Quresh ke Boycott ki vajah se Unhe khane pine ki koi cheez nahi milti thi ,Sab log Bhook se behaal rehte they , Yaha'n tak k unhone Ghaas Foos aur Darakhto ke patte kha Kar ye din guzare _,"
[21/11, 12:50 pm] ★☝🏻★: ★__ Jab bhi Makka me Bahar SE koi Qafila aata to ye Majboor aur bekas Hazraat waha'n pahunch jate Taki unse khane pine ki cheeze khareed Le'n Lekin Saath hi Abu Lahab waha'n pahunch jata aur Kehta :- Logo'n Muhammad ke Saathi agar tumse Kuchh khareedna Chahe to us cheez ke daam is qadar bada do k ye Tumse Kuchh khareed na sake'n, Tum log Meri Haisiyat aur Zimmedari ko Achchhi Tarah jaante ho _,"
★__ Chunache Wo Taajir Apne Maal ki qeemat Bahut zyada bada chada Kar batate aur Hazraat nakaam ho Kar Ghaati me lot aate , Waha'n Apne Bachcho ko Bhook aur Pyaas SE bilakta tadapta dekhte to Aankho'n me Aa'nsu aa jate , udhar Bachche Unhe khaali Haath dekh Kar aur zyada rone lagte , Abu Lahab un Taajiro se Saara Maal khud khareed leta ,
"__ Yaha'n ye Baat zahan nasheen Kar Le'n k Aan'Hazrat ﷺ aur Unke khandaan ke log Quresh ke is Mu'ahide ke baad Halaat Ka rukh dekhte hue khud us Ghaati me chale Aaye they , Ye Baat Nahi k Qureshe Makka ne Unhe giraftaar Kar Ke waha'n qaid Kar diya tha,
★_ Is Boycott ke Dauraan Bahut se Musalman Hijrat Kar Ke Habsha chale gaye, Ye Habsha ki taraf Doosri Hijrat thi , is Hijrat me 38 Mardo'n aur 12 Aurto'n ne hissa liya , In logo me Hazrat Jaafar bin Abu Taalib Raziyllahu Anhu aur unki Bivi Asma bint Umays Raziyllahu Anha bhi thi , inme Miqdaad bin Aswad Raziyllahu Anhu, Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu, Abdullah bin jahash aur Uski Bivi Umme Habiba bint Abu Sufiyaan Raziyllahu Anha bhi thi,
Ye Abdullah bin Jahash Habsha Ja Kar islam se fir gaya tha aur Usne Iyasa'i mazhab akhtyar Kar liya tha , Isi Haalat me uski maut waqe hui , Uski Bivi Umme Habiba Raziyllahu Anha islam per rahi , Unse baad me Aan'Hazrat ﷺ ne nikaah farmaya _,"
╨─────────────────────❥
★☝🏻★: *★__ Najaashi Ke Darbaar me _,"*
★__ In Musalmano ko Habsha me Behatreen panaah mil gayi ,is Baat SE Quresh ko aur zyada Takleef hui , Unhone inke Pichhe Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu aur Amaarah bin Waleed ko bheja Taki ye waha'n ja Kar Habsha ke Baadshah ko Musalmano ke khilaf bhadkaye'n ( Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu baad me Musalman hue ) ,
Ye Dono Habsha ke Baadshah Najaashi Ke liye Bahut SE Tohfe le Kar gaye , Baadshah ko Tohfe pesh kiye , Tohfo me qeemti Ghode aur reshmi jubbe shamil they, Baadshah ke alawa Unhone Paadriyo'n aur doosre Bade Logo'n Ko bhi Tohfe diye ..Taki wo sab inka Saath de'n , Baadshah ke Saamne Dono ne use Sajda Kiya , Baadshah ne Unhe Apne Daaye'n Baaye'n bitha liya _,
★_ Ab unhone Baadshah SE Kaha :- Hamare Khandaan ke Kuchh log Aapki Sarzameen per Aaye Hai'n, Ye log Humsw aur Hamare Ma'aboodo SE bezaar ho gaye Hai'n, Unhone Aapka Deen bhi Akhtyar nahi Kiya ,Ye Ek ese Deen me dakhil ho gaye Hai'n Jisko na hum jaante Hai'n na Aap , Ab Hume Quresh ke bade Sardaaro ne Aapke paas bheja hai Taki Aap un Logo'n Ko Hamare Hawale Kar de'n _,"
★_ Ye Sun Kar Najaashi ne Kaha :- Wo log Kaha'n Hai'n ?_,"
Unhone Kaha :- Aap hi ke Yaha'n hai _,"
Najaashi ne Unhe bulane ke liye foran Aadmi bhej diye , Ese me Un Paadriyo'n aur doosre Sardaaro ne Kaha:- Aap un Logo'n Ko in Dono ke hawale Kar de'n ,isliye k unke bare me ye zyada jaante Hai'n _,"
★_ Najaashi ne esa Karne SE inkaar Kar diya, Usne Kaha :- Pehle Mai'n unse Baat karunga k wo Kis Deen per hai'n _x
Ab Musalman Darbaar me Haazir hue ,Hazrat Jaafar Raziyllahu Anhu ne Apne Saathiyo'n SE Kaha :- Najaashi SE Mai'n Baat karunga _,"
Idhar Najaashi ne Tamaam iyasa'i Aalimo ko Darbaar me talab Kar liya tha Taki Musalmano ki Baat Sun sake'n, Wo Apni Kitaabe bhi utha laye they _,"
★_ Musalmano ne Darbaar me dakhil Hote Waqt islami Tareeqe ke mutabiq Salam Kiya , Baadshah ko Sajda na Kiya , is per Najaashi Bola :- Kya Baat hai ,Tumne mujhe Sajda kyu nahi Kiya ?
Hazrat Jaafar Raziyllahu Anhu foran bole :- Hum Allah Ke Siva Kisi Ko Sajda nahi Karte , Allah Ta'ala ne Hamare darmiyaan Ek Rasool bheje Hai'n ... Aur Hume Hukm diya k Allah Ke Siva Kisi Ko Sajda na karo , Allah Ke Rasool ki taleeem ke mutabiq Humne Aapko Wohi Salam Kiya Jo Jannat Walo Ka Salam hai _,"
Najaashi is Baat ko Jaanta tha , isliye k ye Baat injeel me thi ,
[22/11, 11:42 am] ★☝🏻★: ★_ Iske baad Hazrat Jaafar Raziyllahu Anhu ne Kaha :- Allah Ke Rasool ne Hume Namaz Ka Hukm diya hai aur zakaat Ada Karne Ka Hukm diya hai,
Us Waqt Hazrat Amru bin Aas ( Raziyllahu Anhu) ne Najaashi ko bhadkane ke liye usse Kaha :- Ye Log ibne Mariyam Yani Iysaa Alaihissalam Ke bare me Aapse Mukhtalif Aqeeda rakhte Hai'n, Ye Unhe Allah Ka Beta nahi maante _,"
Is per Najaashi ne Puchha :- Tum Iysaa ibne Mariyam aur Mariyam Alaihimussalam ke bare me Kya Aqeeda rakhte ho ?"
Hazrat Jaafar Raziyllahu Anhu ne Kaha :- unke bare me hum Wohi Kehte Hai'n Jo Allah Ta'ala farmata hai Yani k Wo Roohullah aur Kalmatullah Hai'n aur Kunwari Mariyam ke Batan se Paida hue Hai'n _,"
★_ Fir Hazrat Jaafar Raziyllahu Anhu ne Baadshah ke Darbaar me ye Taqreer ki :-
"_ Ek Baadshah ! Hum Ek gumraah Qaum they ,Pattharo ko Poojte they ,Murdaar Jaanwaro Ka gosht khate they ,Be Haya'i ke Kaam Karte they, Rishtedaro ke Huqooq gasb Karte they, Padosiyo'n ke Saath Bura sulook Karte they, Hamara har Taaqatwar Aadmi Kamzor ko daba Lete tha , Ye thi Hamari Haalat ,
Fir Allah Ta'ala ne Humme SE usi Tarah Ek Rasool bheja ,Jesa k humse Pehle Logo'n me Rasool bheje jate rahe Hai'n, Ye Rasool hum hi me SE Hai'n , Hum unka Hasab Nasab ,unki Sachchayi aur Paak Daamani Achchhi Tarah jaante Hai'n, Unhone Hume Allah Ta'ala ki taraf bulaya k hum use Ek jaane , Uski ibaadat kare aur ye k Allah Ke Siva Jin Pattharo aur Buto'n ko Hamare Baap Dada Poojte chale Aaye Hai'n, Hum Unhe Chhod de'n _,"
★_ Unhone Hume Hukm diya k hum Sirf Allah Ta'ala ki ibaadat Kare'n, Namaz padhe'n , Zakaat de'n , Roze Rakhe'n , Unhone Hume sach bolne , Amaanat Poori Karne , Rishtedaro ki khabar giri Karne , Padosiyo'n se Achchha Sulook Karne , Buraiyo'n aur Khoon bahane SE bachne aur Bad Kaari SE Door rehne Ka Hukm diya, isi Tarah gandi baate Karne ,Yateemo ka Maal khane aur gharo me bethne wali Aurto'n per tohmat lagane SE mana farmaya , Humne unki tasdeeq ki ,Un per imaan laye aur Jo talimaat Wo le Kar Aaye unki Pervi ki , Bas is Baat per Hamari Qaum Hamari Dushman ban gayi Taki Hume fir Pattharo ki pooja per Majboor Kar sake , Un Logo'n ne hum per bade bade zulm kiye ,naye SE naye zulm dhaaye ,Hume har tarah tang kiya _,"
"_ Aakhir kaar jab unka zulm had se badh gaya aur ye Hamare Deen ke Raaste me rukawat ban gaye to hum Aapki Sarzameen ki taraf Nikal pade ,Humne doosro ke muqable me Aapko Pasand Kiya , Hum to Yaha'n ye Ummeed le Kar Aaye Hai'n k Aapke Mulk me hum per zulm nahi Hoga _,"
[22/11, 12:07 pm] ★☝🏻★: ★_ Hazrat Jaafar Raziyllahu Anhu ki takreer sun Kar Najaashi ne Kaha:- Kya Aapke pass Apne Nabi per Aane wali Wahi Ka Kuchh hissa mojood hai ?
Haa'n mojood hai - Jawab me Hazrat Jaafar Raziyllahu Anhu bole .
Wo Mujhe padh Kar sunaiye - Najaashi Bola ,
Is per Unhone Qurane Kareem SE Suraj Mariyam ki Chand Aayaat padhi , Aayaat sun Kar Najaashi aur Uske Darbariyo ki Aankho'n me Aa'nsu aa gaye, Najaashi Bola :- Hume Kuchh or Ayaat sunao_,"
Is per Hazrat Jaafar Raziyllahu Anhu ne Kuchh or Ayaat sunayi ,
Tab Najaashi ne Kaha :- Allah ki qasam ! Ye to Wohi Kalaam hai Jo Hazrat Iysaa Alaihissalam le Kar Aaye they , Khuda ki qasam Mai'n in logo ko Tumhare hawale nahi karunga _,"
★_ Is Tarah Qureshi Wafad Na-Kaam lota , Doosri Taraf Makka ke Musalman usi Tarah Ghaati Sho'ab Abi Taalib me muqeem they , Wo usme Teen Saal tak rahe ,Ye Teen Saal Bahut musibato ke Saal they , Usi Ghaati me Hazrat Abdullah ibne Abbaas Raziyallahu Anhu paida hue , Ye halaat Dekh Kar Kuchh Naram Dil log bhi gamgeen Hote they, Ese log Kuchh Khana Pina in Hazraat tak Kisi na kisi Tarah pahuncha diya Karte they,
"_ Ese me Allah Ta'ala ne Aap ﷺ ko ittela di k Quresh ke Likhe hue Mu'ahide ko Deemak ne chaat liya hai , Mu'ahide ke Alfaz me Sivaye Allah Ke Naam ke aur Kuchh baqi nahi bacha , Aan'Hazrat ﷺ ne ye Baat Abu Taalib ko batayi ,
★__ Abu Taalib foran gaye aur Quresh ke logo se Kaha :- Tumhare Ahad naame ko Deemak ne chaat liya hai ye khabar mujhe mere Bhatije ne di hai , Us Mu'ahide per Sirf Allah Ka Naam baqi reh gaya hai, agar Baat isi Tarah hai jesa k mere Bhatije ne bataya hai to maamla Khatm ho jata hai ,Lekin agar tum ab bhi Baaz na aaye to fir Sun lo ,Allah ki qasam ! Jab tak Humme Aakhri Aadmi bhi baqi hai,us Waqt tak hum Muhammad ﷺ ko Tumhare hawale nahi karenge _,"
Hume Tumhari Baat Manzoor hai..hum Mu'ahide ko dekh Lete Hai'n _,"
★_ Unhone Mu'ahida mangwaya ,Usko waqa'i Deemak chaat chuki thi, Sirf Allah Ka Naam baqi tha , is Tarah Mushrik us Mu'ahide SE Baaz aa gaye, Ye Mu'ahida jis Shakhs ne Likha tha Uska Haath Shul ho gaya tha,
Mu'ahide Ka ye haal dekhne ke baad Qureshi log Sho'ab Abi Taalib pahunche , Unhone Nabi Kareem ﷺ aur Aapke Saathiyo'n SE Kaha :- Aap Apne Apne gharo me aa Jaye'n, Wo Mu'ahida ab Khatm ho gaya hai _,"
╨─────────────────────❥
[24/11, 8:28 am] ★☝🏻★: *★_ Gam Ka Saal _,"*
★__ Is Tarah 3 Saal baad Nabi Akram ﷺ aur Aapke Saathi Apne gharo ko lot aaye aur zulm Ka ye baab band hua ,
Is Waqi'e ke baad Najraan Ka Ek Wafad Aap ﷺ ki khidmat me Haazir hua, Ye log iyasa'i they , Najraan unki Basti Ka Naam tha ,Ye Basti Yaman aur Makka ke darmiyaan waqe thi aur Makka ke qariban 7 manzil door thi , Is Wafad me 20 Aadmi they, Nabi Kareem ﷺ ke bare me Unhe un Muhajireen se Maloom hua tha Jo Makka se Hijrat Kar Ke Habsha chale gaye they ,
★_' Aan'Hazrat ﷺ us Waqt Haram me they , Ye log Aapke Saamne beth gaye, Udhar Qureshe Makka bhi Aas paas Bethe they, Unhone Apne Jaan Aap ﷺ aur us Wafad ki Baat cheet ki taraf laga diye , Jab Najraan ke ye log Aap ﷺ se baate Kar chuke to Aapne Unhe islam ki Dawat di, Qurane Kareem ki Kuchh Ayaat padh Kar sunayi , Ayaat sun Kar unki Aankho'n me Aa'nsu aa gaye, Unke Dilo'n ne is Kalaam ki Sachchayi ki gawahi de di _,
★_ Chunache Foran hi Aap ﷺ per imaan le Aaye, Un Logo'n ne Apni mazhabi Kitaabo me Aap ﷺ ki sifaat aur khabre padh rakhi thi, isliye Aapko dekh Kar pehchan gaye k Aap hi Nabi Aakhirul Zama'n Hai'n ,
★_ Iske baad ye log uth Kar Jane lage to Abu Jahal aur Chand doosre Qureshi Sardaaro ne Unhe roka aur Kaha :- Khuda tumhe ruswa kare ,Tumhe bheja to isliye gaya tha k tum Yaha'n us Shakhs ke bare me malumaat haasil Kar Ke Unhe bata'o Magar tum Uske Paas Beth Kar Apna Deen hi Chhod Bethe ... Tumse zyada Ahmaq aur be Aqal Qafila Humne Aaj tak nahi dekha_,"
Is per Najraan ke logo ne Kaha :- Tum logo ko hamara Salam hai..humse Tumhe Kya waasta ,Tum Apne Kaam SE Kaam rakho ,Hume Apni marzi se Kaam Karne do _,"
Allah Ta'ala ne Surah Maa'ida me unki tareef bayan farmayi ,
[24/11, 9:03 am] ★☝🏻★: ★__ Isi Tarah Qabila Azd ke Ek Shakhs Jinka Naam Zamaad tha Makka Aaye , Ye Sahab jhaad fook se jinnaat Ka Asar zaa'il Kiya Karte they, Makka ke logo ko Unhone ye Kehte hue Suna k Muhammad per Jinn Ka Asar hai ,Ye Sun Kar Unhone Kaha :- Agar Mai'n us Shakhs ko dekh Lu'n to Shayad Allah Ta'ala use mere Haath SE shifa ata farma de _,"
Uske baad wo Aap ﷺ ki khidmat me Haazir hue, Unka Bayan hai , Maine Aap ﷺ se Kaha :-
"_ Ey Muhammad ! Mai'n Jhaad fook se ilaaj karta Hu'n, Log Kehte Hai'n k Aap per Jinnaat Ka Asar hai, Agar Baat Yahi hai to Mai'n Aapka ilaaj Kar Sakta Hu'n _,"
★_ Unki Baat sun Kar Aap ﷺ ne farmaya :-
"_ Tamaam Tareef Allah hi ke liye hai , Hum usi ki Hamd v Sana Bayan karte Hai'n aur usi se madad maangte Hai'n , Jise Allah Ta'ala hidayat farmata hai, use koi gumraah nahi Kar Sakta aur jise Allah Ta'ala gumraahi Naseeb karta Hai, Use koi hidayat nahi de Sakta , Mai'n Gawahi deta Hu'n k Allah Ta'ala ke Siva koi Ma'abood nahi, Uska koi Shareek nahi aur Mai'n Gawahi deta Hu'n k Muhammad Allah Ke Rasool Hai'n _,"
Unhone Aapki Baat sun Kar Kaha :- Ye Kalmaat mere Saamne dobara padhiye _,"
Aapne Kalma Shahadat Teen martaba dohraya ,Tab Unhone Kaha:- Maine Kaahino ke Kalmaat sune Hai'n, Jaadugaro aur Shayaro ke Kalmaat sune Hai'n, Magar Aapke in Kalmaat Jese Kalmaat Kabhi nahi sune , Apna Haath laiye , Mai'n islam qubool Karta Hu'n _,"
★__ Chunache Zamaad Raziyllahu Anhu ne usi Waqt Aapke Haath per Bayt ki ,Aapne farmaya:- Apni Qaum ke liye bhi Bayt Karte ho ?
Jawab me Unhone Kaha :- Haa'n , Mai'n Apni Qaum ki taraf se bhi Bayt karta Hu'n _,"
Is Tarah Ye Sahab Jo Aap per se Jinnaat Ka Asar utaarne ki niyat se Aaye they , Khud musalman ho gaye, Ese aur bhi Bahut SE waqi'aat pesh Aaye Hai'n,
[24/11, 9:56 am] ★☝🏻★: ★_ Nabi Kareem ﷺ ki Nabuwat ke 10 Saal Ka arsa guzar chuka to Aapki Zoja Muhatrama Hazrat Khadija Raziyllahu Anha inteqal Kar gayi'n , Usse Chand din Pehle Abu Taalib faut ho gaye they , Hazrat Khadija Raziyllahu Anha ko Hujoon ke Qabristan me dafan Kiya gaya, Aap ﷺ Khud unki Qabr me utre , inteqal ke Waqt Hazrat Khadija Raziyllahu Anha ki Umar 65 Saal thi, Us Waqt tak Namaze Janaza Ka Hukm nahi hua tha , Is Saal ko Seerat Nigaaro ne Aamul Huzn Yani Gam Ka Saal qaraar diya , Kyunki har moqe per Saath dene wali Do Hastiya'n is Duniya se rukhsat ho gayi thi ,
★__ Aap har Waqt Gamgeen rehne lage ,Ghar SE bhi Kam nikalte ,Hazrat Khadija Raziyllahu Anha Shaadi ke baad 25 Saal tak Aapke Saath rahi'n ,itni Taveel muddat tak Aapka aur Unka Saath raha tha,
★__ Abu Taalib jab Bimaar hue they to Aap ﷺ unse milne ke liye Aaye , Us Waqt Quresh ke Sardaar bhi waha'n mojood they, Aapne Chacha se farmaya :- Chacha ! Laa ilaaha illallaah padh Lijiye Taki Mai'n Qayamat ke Din Aapki Shafa'at Kar Saku'n _,"
Is per Abu Taalib ne Kaha :- Khuda ki qasam Bhatije ! Agar mujhe ye Khof na hota k mere baad log tumhe aur Tumhare khandaan walo ko Sharm aur Aar dilayenge aur Quresh ye kahenge k Maine Maut ke Dar se ye Kalma keh diya to Mai'n ye Kalma padh Kar Zaroor Tumhara Dil thanda Karta , Mai'n Jaanta Hu'n,Tumhari ye Kitni khwahish hai k Mai'n ye Kalma padh Lu'n ...Magar Mai'n Apne buzurgo ke Deen per marta Hu'n _,"
★__ Is per ye Aayat Naazil hui :-
"_ Aap jise chahe'n hidayat nahi de Sakte Balki Jise Allah Chahe hidayat Deta Hai AUR Hidayat pane walo Ka ilm bhi usko hai _," *( Surah Al Qasas :- Aayat 56)*
★_ is Tarah Abu Taalib marte dam tak Kaafir hi rahe , Kufr per hi mare , Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n, Maine Ek martaba Rasulullah ﷺ se Puchha :- Ey Allah ke Rasool ! Abu Taalib Hamesha Aapki madad aur himayat Karte rahe ,kya isse Unhe Aakhirat me faayda pahunchega _,"
Jawab me Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Haa'n ! Mujhe unki Qayamat ke Din ki Haalat dikhayi gayi ,Maine Unhe jahannam ke Ouper wale hisse me paya ,Varna Wo Jahannam ke nichle hisse me Hote _," *( Bukhari v Muslim )*
[26/11, 7:16 am] ★☝🏻★: ★_ Abu Taalib ke Marne Ke baad Aap ﷺ ne farmaya:- Khuda ki qasam ! Mai'n us Waqt tak Aapke liye Mm magfirat ki Dua karta rahunga Jab tak k mujhe Allah Ta'ala hi isse na rok de _,"
Is per Allah Ta'ala ne ye Aayat Naazil farmayi:-
"_ Paigambar ko aur Doosre Musalmano ko jaa'iz nahi k Mushriko ke liye magfirat ki Dua maange , Agarche wo Rishtedar hi kyu'n na ho , is Amr ke Zaahir ho Jane baad ye log dozakhi Hai'n_," *( Surah At Tauba-Aayat 113)*
Isse bhi Saabit hua k Abu Taalib imaan per nahi mare ,
★_ Hazrat Khadija Raziyllahu Anha Ka inteqal Ramzan ke mahine me hua tha, Unki wafaat ke Chand maah baad Aapne Hazrat Sauda bint Zam'a Raziyllahu Anha se Shadi farmayi , Aapse Pehle unki Shadi unke Chacha ke bete Sukraan Raziyllahu Anhu se hui thi, Hazrat Sukraan Raziyllahu Anhu Doosri Hijrat ke Hukm ke Waqt unke Saath Habsha Hijrat Kar gaye they, Fir Makka waapas aa gaye they , Uske Kuch arsa baad hi unka inteqal ho gaya tha, Jab Hazrat Sauda Raziyllahu Anha ki iddat Ka zamana Poora ho gaya to Aap ﷺ ne unse nikaah farmaya,
★_ Is Nikaah SE Pehle Hazrat Sauda Raziyllahu Anha ne Ek Ajeeb Khwab dekha tha , Unhone Apne Shohar Sukraan Raziyllahu Anhu se ye Khwab bayan Kiya , Khwab sun Kar Sukraan Raziyllahu Anhu ne Kaha :- Agar tumne waqa'i ye Khwab dekha hai to Mai'n jald hi mar jaunga aur Rasulullah ﷺ Tumse Nikaah farmayenge _,"
Doosri Raat Unhone fir Khwab dekha k Wo leti hui Hai'n, Achanak Chaand Aasman se toot Kar unke paas aa gaya , Unhone ye Khwab bhi Apne Shohar ko sunaya ,Wo ye Khwab sun Kar bole :- " Ab shayad Mai'n Bahut jald faut ho jaunga _,"
★_ Aur usi Din Hazrat Sukraan Raziyllahu Anhu inteqal Kar gaye , Shawwal ke mahine me Aan'Hazrat ﷺ ne Hazrat Ayesha Raziyllahu Anha se Nikaah farmaya ,
╨─────────────────────❥
In[: *★_ Taa'if Ka Safar _,*
★_ Abu Taalib ke inteqal ke baad Qureshi Khul Kar Saamne aa gaye, Ek Roz Unhone Aapko Pakad liya , Har Shakhs Aapko Apni taraf Kheenchne laga ..aur Kehne laga :- Ye to Wohi hai Jisne Hamare itne saare Ma'aboodo ko ek Ma'abood bana diya _,
Ese me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu tadap Kar ek dam aage aa gaye , Us bheed me ghus gaye ,Kisi Ko Unhone maar Kar hataya ,Kisi Ko dhakka diya ,Wo un logo ko Aapse hatate jate aur Kehte jate :- Kya tum ese Shakhs ko qatl Karna Chahte ho Jo ye Kehta hai, Mera Rab Allah hai _,"
Is per Wo log Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu per toot pade aur Unhe itna maara k wo Marne Ke qareeb ho gaye, Hosh Aaya to Huzoor Akram ﷺ ki khairiyat Maloom ki ,pata Chala k Khairiyat se Hai'n to Apni Takleef ko Bhool gaye ,
★_ Shawwal 10 nabvi me Huzoor Akram ﷺ Taa'if Tashreef le gaye, Us Safar me Sirf Aapke Gulaam Hazrat Zaid bin Haarisa Raziyllahu anhu Saath they , Taa'if me Shaqeef Ka Qabila abaad tha , Aap ye Andaza Karne Ke liye Taa'if Tashreef le gaye k Qabila Shaqeef ke Dilo'n me bhi islam ke liye Kuchh gunza'ish hai ya nahi , Aap ye Ummeed bhi le Kar gaye they k Mumkin hai ye log Musalman ho Jaye'n aur Aapki himayat me uth khade ho'n ,
Taa'if pahunch Kar Aapne Sabse Pehle us Qabile ke sardaaro ke paas Jane Ka irada Kiya, ye Teen Bhai they , Ek Ka Naam Abd Yalail tha , Doosre Ka Naam Masoud tha ,Teesre Ka Naam Habeeb tha , Un teeno ke bare me Poori Tarah wajahat nahi milti k ye baad me Musalman ho gaye they ya nahi , Bahar Haal ! Aap ﷺ ne un teeno SE Mulaqaat ki , Apne Aane Ka Maqsad bataya ,islam ke bare me bataya , Unhe islam ki Dawat dene ke Saath Mukhalifo ke muqable me Saath dene ki Dawat di ,
★__ Unme se ek ne Kaha :- Kya Wo tum hi ho Jise Khuda ne bheja hai ?
Saath hi doosre ne Kaha :- Tumhare alawa Khuda ko Rasool banane ke liye koi aur nahi Mila tha ?
Iske Saath hi teesra bol utha :- Khuda ki qasam ! Mai'n Tumse koi Baat cheet nahi karunga Kyunki agar tum waqa'i Allah Ke Rasool ho to Tumhare Saath Baat cheet Karna Bahut khatarnaak hai ( ye Usne isliye Kaha tha k wo log jaante they Kisi Nabi ke Saath bahas Karna Bahut khatarnaak hai ) aur agar tum Nabi nahi ho to tum Jese Aadmi se Baat Karna zaib nahi deta _,"
: ★_ Aap ﷺ unse mayoos ho Kar uth khade hue, Un teeno ne Apne Yaha'n ke obaash logo ko aur Apne Gulaamo ko Aapke Pichhe laga diya , Wo Aap ke gird Jama ho gaye, Raaste me bhi Dono taraf logo Ka Hujoom ho gaya , Jab Aap unke darmiyaan SE guzarte to Wo Bad Bakht tareen log Aap ﷺ per patthar barsane lage , Yaha'n tak k Aap Jo qadam uthate wo us per patthar maarte , Aapke Dono Paanv lahu luhaan ho gaye, Aapke Joote Khoon se Bhar gaye, Jab Chaaro taraf patthar maare gaye to Takleef ki shiddat se Aap beth gaye..Un Bad Bakht obaash ne Aapki Baglo me baazu daal Kar Aapko khade hone per Majboor Kar diya ... Jo'nhi Aapne chalne ke liye qadam uthaye ,Wo fir Patthar barsane lage ,
Saath me wo hanst rahe they aur Qahqahe laga rahe they ,
★__ Zaid bin Haarisa Raziyllahu anhu Ka ye haal tha k wo Aapko Pattharo se bachane ke liye khud ko unke Saamne Kar rahe they, is Tarah wo bhi lahu luhaan ho gaye, Lekin is Haalat me bhi Unhe Aap ﷺ ki fikr thi , Apni koi parvaah nahi thi , Unke itne zakhm Aaye k Sar fat gaya ,
★__ Aakhir Aap ﷺ us Basti se nikal kar ek Baag me dakhil ho gaye, is Tarah un Bad Bakht tareen logo se chhutkara mila , Aap ﷺ aur Zaid bin Haarisa Raziyllahu anhu us Waqt tak zakhmo se bilkul choor ho chuke they aur Badan Lahu luhaan they , Aap Ek Darakht ke saaye me beth gaye, Aapne Allah se Dua ki :-
"_ Ey Allah ! Mai'n Apni Kamzori,lachaari aur Bebasi ki tujhse faryaad karta Hu'n, Ya Ar Hamar Raahemeen ! Tu kamzoro Ka Saathi hai aur Tu hi Mera Rab hai aur Mai'n tujh hi per bharosa karta Hu'n ... agar mujh per tera gazab aur gussa nahi hai to mujhe Kisi ki Parvaah nahi ,
★__ Usi Waqt Achanak Aapne dekha k Waha'n Baag ke Maalik Utba aur Shayba bhi mojood Hai'n, Wo bhi dekh chuke they k Taa'if ke Badmasho ne Aapke Saath kya sulook Kiya hai, Unhe dekhte hi Aap uth khade hue Kyunki Aapko Maloom tha k wo dono Allah Ke Deen ke Dushman Hai'n , Udhar in Dono ko Aapki Haalat per Raham aa gaya, Unhone foran Apne nasraani Gulaam ko pukaara ,Uska Naam Addaas tha , Addaas Haazir hua to unhone use Hukm diya :- Us Bayl SE Angoor Ka Gosha Todo aur Unke Saamne rakh do _,"
: ★_ Addaas ne Hukm ki tameel ki , Angoor Aapko pesh kiye ,Aapne jab Angoor khane ke liye Haath badhaya to farmaya :- Bismillaah _,"
Addaas ne Aapke moonh se Bismillaah Suna to Usne Apne Aapse Kaha :- is ilaaqe ke log to esa nahi Kehte _,"
Aap ﷺ ne usse puchha :- Tum kis ilaaqe ke rehne wale ho ,Tumhara Deen kya hai ?
Addaas ne bataya k wo Nasrani hai aur Nainwa Ka Naam sun Kar Aapne farmaya :- Tum to Yunus (Alaihissalam ) ke hum watan ho Jo Mati ke bete they _,"
★_ Addaas Bahut Hairaan hua ,Bola :- Aapko Yunus bin Mati ke bare me kese Maloom hua ,Khuda ki qasam Jab Mai'n Nainwa se nikla tha to Waha'n 10 Aadmi bhi ese nahi they Jo Ye jaante ho k Yunus bin Mati kon they , isliye Aapko Yunus bin Mati ke bare me kese Maloom ho gaya ?
Is per Nabi Akram ﷺ ne farmaya :- Wo mere Bhai they ,Allah Ke Nabi they aur Mai'n bhi Allah Ka Rasool Hu'n, Allah Ta'ala hi ne mujhe unke bare me bataya hau aur ye bhi bataya hai k Unki Qaum ne unke Saath kya sulook Kiya tha _,"
Aapki Zubaan Mubarak SE ye Alfaz Sunte hi Addaas foran Aapke Nazdeek aa gaya aur Aapke Haatho aur Payro ko bosa dene laga _,
Baag ke Maalik Utba aur Shayba door khade ye sab dekh rahe they, Unhone Addaas ko Aapke qadam choomte dekha to Unme SE ek ne doosre SE Kaha :- Tumhare is Gulaam ko to us Shakhs ne gumraah Kar diya _,"
★__ Fir Addaas unki taraf Aaya to Ek ne usse Kaha :- Tera Naas ho , Tujhe kya ho gaya tha k Tu Uske Haath aur Payr chhoone laga tha _",
Is per Addaas Bola :-
"_ Mere Aaqa ! Us Shakhs se Behtar insaan Poori Zameen per nahi ho Sakta, Usne mujhe esi Baat batayi hai Jo koi nahi bata Sakta Hai _,"
Ye sun Kar Utba ne foran Kaha :- Tera Bura ho , Apne Deen se hargiz mat firna _,"
In Addaas ke bare me aata hai k Ye Musalman ho gaye they ,
★__ Utba aur Shayba ke Baag SE Nikal Kar Aap Qarne S'alib ke Muqaam per pahunche, Yaha'n pahunch Kar Aapne sar uthaya to Ek Badli Aap per Saaya kiye Nazar aayi , Us Badli me Aapko Jibraiyl Alaihissalam Nazar Aaye , Unhone Aapse Kaha :-
"_ Aapne Apni Qaum Yani Bani Shaqeef ko Jo Kaha aur Unhone Jo Jawab diya uski Allah Ta'ala ne sun liya hai aur mujhe Pahaado ke nigraa'n ke Saath bheja hai , isliye Bani Shaqeef ke bare me Jo Chahe , us Farishte ko Hukm de'n _,"
Iske baad Pahaado ke Farishte ne Aan'Hazrat ﷺ ko pukaara aur Arz Kiya :- Ey Allah ke Rasool ! Agar Aap Chahe to Mai'n in Pahaado ke darmiyaan us Qaum Ko kuchal du'n ya Unhe Zameen me dhansa Kar unke Ouper Pahaad gira du'n _,"
╨─────────────────────❥
*★__ Jinnaat Se Mulaqaat _,*
★__ Pahaado ke Farishte ki Baat ke Jawab me Aap ﷺ ne farmaya :-
"_ Nahi , mujhe tavaqqo hai k Allah Ta'ala unki Aulaad me Zaroor ese log paida farmayega Jo Allah Ta'ala ki ibaadat karenge aur Uske Saath Kisi Ko shareek nahi thehrayenge _,"
Is per Pahaado ke Farishte ne Jawab diya :- Allah Ta'ala ne Jesa Aapko Naam diya hai Aap ﷺ Haqeeqat me Ra'uf v Raheem Hai'n Yani Bahut Maaf Karne wale aur bahut Raham Karne wale Hai'n _,"
★_ Taa'if ke is Safar SE Waapsi per 9 Jinno Ka Aap ﷺ ke paas se guzar hua ,Wo Nasibeen ke rehne wale they, Ye Shaam ke Ek Shehar Ka Naam hai , Aap ﷺ us Waqt Namaz padh rahe they, Jinnaat ne Aap ﷺ ki Qiraat ki Awaaz suni to usi Waqt Musalman ho gaye, Pehle Wo Yahoodi they ,
★_ Taa'if se Waapsi per Aap ﷺ Makka me dakhil hue to Haram me Aaye aur Baitullah Ka tawaaf farmaya, Uske baad Ghar Tashreef le gaye,
Idhar 9 Jinn Jab Apni Qaum me gaye to unhone baqi Jinno ko Aap ﷺ ke bare me bataya, Chunache Wo Sabke sab Makka Pahunche , Unhone Hujoon ke Muqaam per qayaam Kiya aur ek Jinn ko Aap ﷺ ki khidmat me bheja, Usne Aap ﷺ se Arz Kiya :- Meri Qaum Hujoon ke Muqaam per thehri hui hai ,Aap ﷺ waha'n Tashreef le chaliye _,"
Aap ﷺ ne usse vaada farmaya k Aap ﷺ Raat me Kisi Waqt Hujoon aayenge , Hujoon Makka ke Ek Qabristan Ka Naam tha , Raat ke Waqt Aap ﷺ Waha'n pahunche, Hazrat Abdullah bin Masoud Aap ﷺ ke Saath they , Hujoon pahunch Kar Aap ﷺ ne Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu ke gird Ek khat Kheench diya aur Farmaya :- isse bahar mat nikalna ,Agar Tumne Daayre SE bahar qadam rakh diya to Qayamat ke Din tak tum mujhe nahi dekh pa'oge aur na Mai'n tumhe dekh sakunga _,"
Ek rivayat ke mutabiq Aap ﷺ ne unse ye farmaya :- Mere Aane tak tum isi Jagah raho ,Tumhe Kisi cheez se dar nahi lagega ,na Kisi cheez ko dekh Kar hol ( Dar ) mehsoos Hoga _,"
★_ Iske baad Aap ﷺ Kuchh faasle per ja Kar beth gaye, Achanak Aap ﷺ ke paas bilkul Syaah faam log Aaye , Ye kaafi Tadaad me they aur Aap ﷺ per Hujoom Kar Ke toote pad rahe they Yani Qur'an Paak sunne ki khwahish me Ek doosre per gir rahe they,
Is moqe per Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu ne Chaha k aage bad Kar un logo ko Aap ﷺ ke paas se hata de'n ,Lekin fir Unhe Aap ﷺ Ka irshad Yaad aa gaya aur Wo Apni Jagah se na hile_,"
★_ Idhar Jinnaat ne Aap ﷺ se Kaha :- Ey Allah ke Rasool ! Hum jis Jagah ke rehne wale Hai'n Yani Jaha'n Hume Jana hai Wo Jagah door hai , isliye Hamare aur Hamari sawariyo'n ke liye Samaane Safar Ka intezam farma dijiye_,"
Jawab me Aap ﷺ ne irshad farmaya :-
"_ Har Wo Haddi Jis per Allah Ka Naam Liya gaya ho ,Jab Tumhare Haatho me pahunchegi to Pehle SE zyada pur gosht ho jayegi aur ye Leed aur gobar Tumhare Jaanwaro Ka chaara hai _,"
Is Tarah Jinnaat Aap ﷺ per imaan laye ,
╨─────────────────────❥
*★_ Tufel bin Amru Dosi Raziyllahu Anhu Ka quboole islam _,*
★_ Tufel bin Amru Dosi Raziyllahu Anhu Ek ounche darje ke Shayar they ,Ye Ek mart