0
✾✵✾
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-01* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Misaali Aurat Banne Ke Sunehri Usool :-*

*❧"_ Nabi Kareem ﷺ ne Teen Buniyadi Asbaab Bayan farmaye hai'n Jinke baa'is Har Aurat Buland Martabe per Faa'iz ho Sakti hai,*

*❧"_ Meri Pyari islami Behno ! Islam Miya Bivi ke Talluq ko badi Ahmiyat deta hai aur use Nihayat Mazboot aur Payedaar banane ka Khwahish mand hai kyunki Khandaan ki Yakjahti aur ittehad ka inhisar isi Talluq ki Mazbooti per hai aur Khandaan ke Aapas ke ittehad v ittefaq hi se izzat v Ahatram ke Laa'iq nasal paida hoti hai,*

*❧"_ Mai'n poore bharose se kehta hu'n k Jo Aurat Nabi Kareem ﷺ ke bayan karda Asbaab ko Mazbooti se tham legi, Wo Apne ghar ko khush bakhti aur Masarrato ka Sarchashma bana degi aur Apne Khawind ke Saath Nihayat khush v Khurram Zindgi basar karegi,*

*❧"_ Yaha'n Har Aurat ko ye bhi jaan lena chahiye k in Asbaab ko Akhtyar na karne ke Natije me Aurat ko gam aur Takleef ki talkhi jhelna padegi aur uska ghar dukho aur gamo ka Nishana ban jayega, Lihaza in Asbaab per Achchhi tarah gor v Fikr karo aur inka matlab samajhne ki koshish karo, Fir Apna jaaiza lo, Agar tumne in Asbaab ko Mazbooti se thaam liya to ye Tum per Allah Ta'ala ka Fazal v Karam hai aur Agar Tumne esa nahi kiya to ye Tumhare liye Nasihat hai aur Nasihat mominaat ko nafa deti hai _,"*
 
   *®_Ref:- Misaali Aurat -18,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-02* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_Shohar Ko Khush Karne Wali Aurat :-*

*❧"_Pehli Baat Jo Rasoole Kareem ﷺ ne irshad farmayi hai, Uska maqsad ye hai k Tum Apne Khawind ki muhabbat pa lo aur Wo Tumhare Saath hum Aahang ho jaye, Yaqeenan har Aqalmand insaan ka maqsad aur khwahish Akhlaqi kamaal ka Husool hai, Chahe wo Mard ho ya Aurat,*

*❧"_ Islam insaan ko Roohani, Aqali, Badni aur Akhlaqi kamaal ke Husool ki Taleem deta hai, Meri pyari islami Behno ! Tumhe Apne Zahiri Husn v Jamaal ke Ahatmam ke liye Allah Ta'ala ki Halaal Karda jaa'iz Cheeze Mehandi aur Asmad Surma lagana chahiye aur Zevraat pehne jaye'n Kyunki Behatreen Aurat wo hai Jiski Taraf uske Khawaind ki ek Nazar padte hi Uski Aa'nkho se khush Bakhti Jhalakne lage,*

*❧"_ Aadmi Husool E Ma'ash ke liye Ghar se nikalta hai to wo Mehnat ke baa'is Jismani tor per thak jata hai aur baaz Awqaat Apne kaam ki mashkkat ki vajah se Dimaagi Thakawat ka shikaar bhi ho jata hai aur badi Shiddat se ghar lotne ka intezar karta hai taki Thakawat se choor jism ko Araam v Sukoon mil sake,*

*❧"_ Lihaza Jab Wo Din bhar ki Mashkkat ke baad ghar me dakhil hota hai aur Apni Bivi ke bartaav me koi khush Kun pehlu nahi dekhta to iska matlab ye hota hai k Wo Apne Khawind se Talluqaat ke pehle hi Marhale me nakaam ho gayi hai, To wo Yaqeenan ghutan aur Tangi Mehsoos karega aur iske izhaar ke liye tarah tarah ke bahane talash karega, Kabhi kisi baat per khafa hoga kabhi kisi kaam per Naraazi ka izhaar karega,*
 
   *®_Ref:- Misaali Aurat -19,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-03* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Shohar Ko Khush Karne Wali Aurat -2,*

*❧ "_ Iske Bar Aks Jab Wo ghar Waapas aane per Apni Bivi ko esi Haalat me dekhe jisse wo khush ho jaye aur uska Dil jhoom uthe to wo bahut jald Zehni Pareshaniyo aur Jismani Thakawat ko bhool jayega, Lihaza Bivi se Khawind ki muhabbat badhne ke Asbaab me se ye bhi hai k Khawind jab Bivi ki Taraf dekhe to Wo use Masroor kar de, Waqia ye hai k Mehboob ko Dilkash haalat aur Husn v Jamaal ke Aalam me dekhna, Dil me Muhabbat raasikh karne ka bada mo'assir Waseela hai _,"*

*❧ "_ Meri Pyari islami Behno ! Khawind ke ghar aane se pehle pehle Apni Haalat ka jaayza lo, Apne libaas ko ba gor dekho aur Apne Dil se puchho kya mera Khawind mujhe is haalat me dekh kar khush hoga ? Har Aurat is Sawal ka jawab jaanti hai, bil Shubha har Aadmi Khoobsurat Cheezo se Fitri tor per Muhabbat karta hai, Sivaye us Shakhs ke Jisne Apni Fitrat ko maskh kar daala ho aur wo Qabeeh aur Khabees Cheezo ke Husool me laga rehta hai,*

*❧ "_ Jab Khawind Apne ghar me Dakhil ho kar Apni Bivi ko Nihayat haseen v Jameel soorar me dekhta hai to Wo Apni Bivi se Muhabbat aur uski Taraf Ragbat Mehsoos karta hai, Wo Apne liye Bivi ke Banaav Singhar ka Ahatmam mehsoos karta hai,*

*❧ "_ Iske Bar Aks baaz Khwateen Khawind ke aa jane ke baad bhi gharelu kaam kaaj, Maslan - khana pakane, Kapde dhone ya Safaa'i Suthrayi me lagi rehti hai, Unhe Chahiye k Wo Tamaam kaamo se Khawind ki Aamad se pehle pehle hi faarig ho jaye Agarche iske liye unhe kuchh zyada mehnat karni padegi aur izaafi Thakawat bhi bardasht karni hogi, Agar wo esa kar le'n to is izaafi Mehnat aur mashkkat ka sila unhe bahut khush gawar milega _,*

     *®_Ref:- Misaali Aurat -19,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-04* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Khawind Ko Ghar me khushi Naseeb na ho to us Shaitaan ke waswase bahut jald galba pa le'nge aur Shaitaan La'ien Ke Raaste per chalne waliyo ko Khawind ki Aa'nkho ke Saamne khoob muzayyan kar ke pesh karega aur Bivi ko uski nazar me gira dega,*

*❧"_ Pyari islami Behno! Jab bhi Tumhara Khawind Tumhari tarah dekhe to use Tumhare Ho'nto'n per dilkash Muskurahat nazar aani chahiye, Agarche us muskurahat per ek lamhe se zyada waqt nahi lagta lekin Khawind ke Dil me iski yaad hamesha Taza rehti hai,*

*❧"_ Yaqinan Tumhari Muskurahat ghar ko khushiyo'n se bhar degi aur ye Din bhar Mehnat v Mashkkat ke baad Khawind ko haasil hone wala Sabse Zyada Raahat Bakhsh pehlu hoga,*

*❧"_ Pyari islami Behno! Apne Shohar ke Saamne Tumhare Chehre ke khoobsurat Tassuraat Dar Haqeeqat Tumhare Khoobsurat Libaas aur Zevraat se Kahi'n Zyada Ahmiyat rakhte Hai'n Kyu'nki jab Khawind Bivi ki Taraf dekhta hai to Bivi ke Chehre per Dilkash Muskurahat aur khush gawar Tassuraat, Zubaan ke meethe bol se Kahi'n Zyada gehre Asraat chhodte hai'n,*

*❧"_ Yaqinan Khawaind ko bahut jald Ahsaas hoga k uski Bivi Nihayat belos ho kar kisi maali faayde ki Garz se paak, Haqeeqi aur Sachchi Muskurahat ke saath uska istaqbaal kar rahi hai aur keh rahi hai - Tumhare aane se Mai'n bahut khush hu'n aur Tumhe dekh kar badi masroor hu'n, Us Waqt Shohar Ko ye kehna munasib hoga - Tumhari ye Muskurahat Aakhirat me Nekiyo'n ka baa'is ban jayegi Kyu'nki ye Muskurahat bhi un Sadqaat me se hai Jinhe tum Apne Naama A'amaal me darj Kara rahi ho _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -20,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-05* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Khawind ki Farma Bardaar Aurat:-*

*❧"_ Meri Pyari Momina Behno ! Har Khawind Dil ki Gehraiyo'n se chahta hai k uske ghar me khush Naseebi ka Raaj ho aur uske ghar ke afraad me Aapas me khushiyo'n aur Shaadmaniyo ka basera ho, Lekin Wo cheez Jo is Khush Bakhti ko Tabaah kar deti hai, Khushiyo'n ko bhaga deti aur gamo ko Dawat deti hai, Wo Aurat ka Apne Khawind ke Saath is Tarah pesh aana hai Jese wo Khawind Ke Hum Palla aur Usse behtar hai _,"*

*❧"_ Aur Wo Sirf Apni Raay ko Aham Samajhti hai aur Khawind ki ita'at sirf is maamle me karti hai Jo uski Marzi aur khwahish ke mutabiq ho, Wo hamesha Khawind se ye Chahti hai k Wo uski Khwahishaat ki Takmeel karta rahe aur usse ye ummeed rakhti hai k Jin Cheezo ki wo Aadi ho chuki hai, Unhe hargiz na bhoole aur Jin Baato aur kaamo se use Shagaf ( Dilchaspi) hai, Wo unka Zaroor khayal rakhe,*

*❧"_ Esi Bivi Apne isi Andaze Fikr se Apna ghar barbaad kar leti hai, Ha'nste Baste ghar ko ujaad deti hai aur Agar Aulaad ho to use Awaara aur Badkaar bana deti hai,*

*❧"_ Ek Aqalmand aur Zehni Aurat wo hai Jo Apne ghar me Jhagde ka Sabab aur uski barbaadi ka baa'is banne wali cheez ko pehle hi bhaa'np leti hai, Jis Baat se uska Khawind khafa hota ho Wo usse gurez karti hai, Agar Aurat is Shaoor se behra war na ho to wo Apni Azdwaji Zindgi ki Ni'amat ko Azaab me badal daalti hai,* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -21,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-06* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Pyari islami Behno! Shadi ek Azeem hikmat, Nihayat buland Paya Samaji maqsad aur Baqa E Nasl ka Wasila hai, Ye ibaadat me se ek Aham ibaadat hai Jiske Zariye se har Musalman Mard aur Aurat ko Allah Ta'ala ka qurb haasil hota hai, Lihaza hum ye keh Sakte Hai'n k Shadi Mard aur Aurat per Allah Ta'ala ki Ni'amato me se ek badi Ni'amat hai,*

*❧"_ islam me Shadi ka Asal maqsad Miya Bivi ke Darmiyan Aapsi Muhabbat paida karna hai, irshade Baari Ta'ala hai -( Rom - 21/30) "_Aur ye bhi uski Nishaniyo me se ek Nishani hai k usne Tumhare liye Tumhari hi Jins se Biviya'n paida ki taki tum unse Sukoon haasil Karo aur usne tumhare Darmiyan Muhabbat aur Rehmat paida kar di, bila Shubha isme un Logo'n ke liye Azeem Nishaniya'n hai'n Jo gor v Fikr karte hai'n _,"*

*❧"_ is Muhabbat v Ulfat ko qaa'im v Daa'im rakhne aur Aapsi Azdwaji Zindgi ko khush usloobi se barqarar rakhne ke liye Allah Ta'ala ne Miya Bivi ke Ek doosre per Huqooq Muqarrar farmaye hai'n, Allah Ta'ala farmate hai'n:- ( Al Baqra -228) "_Aur Dastoor ke mutabiq Aurto'n ke Mardo'n per wese hi Huqooq hai'n jese Mardo'n ke Aurto'n per hai'n aur Mardo'n ke liye un per ek darja aur Fazilat hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -21,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-07* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Khawind Ke Bivi Per Huqooq me se hum ek Haq ka Tazkira kar rahe hai'n, Is haq ki Adaygi se Aurat Apne Rab ki jannat haasil kar sakti hai aur Duniya v Aakhirat me Surkhru ho Sakti hai, Wo Haq ye hai k Aurat ko Apne Khawind ki ita'at Sha'ar Bivi hona chahiye,*

*❧"_ Jo Khawind uske Huqooq ka Paasdaar ho, Uska istehqaq hai k wo Apni Bivi se hamesha Pakiza aur meethi baat sune aur Bivi ko har waqt Apni Hajaat v Zaruriyaat poori karne wali paye, Meri Pyari Momina Behno! Khawind ke liye Tumhari ita'at hi Azdwaji Zindgi ki Kamyaabi ki Zamanat hai,*

*❧"_ Jis qadar Khawind ko ye Ahsaas v Sha'oor hoga k tum uska ye Azeem haq Bakhoobi Ada kar rahi ho, Usi Qadar wo Tumhari izzat karega aur Uske Dil me Tumhari muhabbat badhegi, Nabi Kareem ﷺ ne momin Aurto'n ko ye Taleem di hai k Jannat ka Raasta Allah aur uske Rasool ﷺ ki ita'at ke baad Khawind ki ita'at se shuru hota hai,*

*❧"_ Aao Zara is Hadees Shareef per gor kare'n:- Hazrat Husain bin Mohsin ba Rivayat karte hai k unki Foofi Apne kisi kaam se Nabi ﷺ ki khidmat me Haazir hui, Jab Wo Apne kaam se faarig ho gayi'n to Nabi Akram ﷺ ne unse dariyaft farmaya - kya tum Shadi shuda ho ? Unhone arz kiya - Ji haa'n, Aap ﷺ ne puchha - Tumhara uske Saath Sulook aur Ravayya kesa hai ? Unhone arz kiya - Mai'n uski khidmat aur ita'at guzari me koi kasar nahi chhodti, Sivaye us cheez ke jo mere bas me na ho, Aap ﷺ ne farmaya - Achchha ye Batao k Tum uski Nazar me kesi ho ? Kyunki beshak wo tumhari jannat aur Jahannam hai _,"*
*®- Musnad Ahmad- 6/419, Mustadrak Haakim- 2/189, Hadees- 2769,* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -23,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-08* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Rasulullah ﷺ ke is irshad per Achchhi tarah gor kijiye:- "Wo Tumhari Jannat aur Jahannam hai," Yani Agar Tum uski ita'at karogi to wo Tumhare liye Jannat ka sabab ban jayega, Aap ﷺ ki muraad ye thi k Jannat ke Husool ke doosre Asbaab ki tarah ye bhi Tumhare liye Jannat ke Husool ka Sabab hai, Jis Tarah log Allah ki khushnudi aur uski jannat tak pahu'nchne ke liye digar Asbaab Akhtyar karte hai'n,*

*❧"_ Aur Sahabiya ki is baat per bhi gor kijiye -," Mai'n uski ita'at aur khidmat me koi kasar nahi chhodti _," Meri islami Behno! Tumhe is baat ka khaas khayal rakhna chahiye k Shohar Ko Raazi karne aur uske Dil ko khushi se mamoor karne ke liye Teri koshish aur Mehnat un umoor me se hai Jinka har mard Apni Bivi se talabgaar rehta hai _,"*

*❧"_ Tumhare Darmiyan basa Awqaat ladayi jhagda aur ikhtilaaf bhi runuma ho sakta hai, Us Waqt Tumhari zimmedari ye hai k tum us jhagde ko khatm karo aur Sulah Safaa'i ke liye har mumkin mo'assir Tareeqa Akhtyar karo, Yaqinan ye bhi mumkin hai k is ladayi me Aap sahi ho'n aur kabhi iske bar Aks Khawind Sahi hoga lekin ese moqe per tumhari Zimmedari ye hai k tum ye Ahsaas karo k Khawind kisi esi Hikmat ki bina per Tumhari galti ki Taa'id nahi kar raha Jo tumhe maloom nahi,*

*❧"_ is qism ke moqo per tumhe Khawind Ke gusse aur josh ko thnda aur ikhtilaaf ko rafa dafa karna chahiye aur fir kuchh der baad jab uska dil Mutma'in aur gussa thanda ho jaye to to tum apni Raay aur moqif ki Wazahat kar do k Tumhara asal maqsad Aapas me khayr aur Bhala'i ka tha, Ladayi jhagde maqsood na tha, Beshak wo Tumhara Shareek Hayaat hai jisse tum beparwah nahi ho sakti, Ladayi jhagde ke baad jab tabiyat Sambhal jaye aur Dil per Sukoon ho jaye, us waqt islaah ki koshish kis qadar mo'assir hoti hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -24,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-09* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Meri Pyari islami Behno! jab Tum Apne Khawind ki har baat manogi aur uske Har Hukm ko Baja laogi to tum bhi Apne Khawind se Apni Aarzu poori karwane per qaadir ho jaogi, Tum Sochti ho k Tumhara Khawind tumhe khush v Khurram rakhe aur Tumhari zindgi ko khushiyo se malamaal kar de, Tumhari ye khwahish beja nahi magar tum Apne is maqsad me kese Kamyaab ho sakti ho jabki tumhe Apne Shohar ka Dil moh lene aur uski pasand per Gaalib aane ka fun bhi nahi aata_,"*

*❧"_ Meri Momina Behno! Nabi Kareem ﷺ ne Aurto'n ke liye chand ese Aala Ausaaf bayan farmaye hai'n Jinke Saath wo jannat me Salamti ke Saath Dakhil ho sakti hai'n, Aap ﷺ ne farmaya - jab Aurat Paa'nch Namaze ( Ba Qaayda) Ada kar le aur Ramzanul Mubarak ke Roze rakhe aur Apni Sharmgah ki Hifazat kare to wo ( Qayamat ke Roz ) jannat me jis Darwaze se chahegi dakhil ho jayegi _," ( Musnad Ahmad- 1/191, Sahi ibne Hibaan -9/471)*

*❧"_ Lihaza Khawind ki ita'at un Asbaab me se ek sabab hai jo tumhe jannat me dakhil Kara denge _,"*

*❧"_ Beshak Behatreen Aurat wo hai jo Apne Khawind ko ye Ahsaas Dila de k wo uske Nazdeek bahut Azeem hai aur use Apne Khawind ki usi tarah zarurat hai jese ( zinda rehne ke liye) use khane aur pine ki zarurat hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -24,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-10* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Bila Shubha Afzal Aurat wo hai Jo Apne Khawind ke Huqooq ki Paasdaari kare aur use iske liye kisi Tambeeh aur Wazahat ki zarurat pesh na aaye,*

*❧"_ Behatreen Aurat Bakhoobi jaanti hai k uske Khawaind se bhi galti Sarzad ho sakti hai Kyu'nki wo Galtiyo'n se masoom nahi hai lekin wo Apni zahanat aur Hoshiyari se Apne Khawind ko Sambhal leti hai aur Apne ghar me paida hone wali Mushkilaat ka hal nikaal leti hai _,"*

*❧"_ Achchhi Bivi ki ek khoobi ye hai k wo Khawind se hone wali galti ki islaah ke liye munasib waqt aur Mo'assir Tareeqa apnati hai, Behatreen Bivi Kushada Dil hoti hai, Lihaza wo Khawind ki Beshumar Khamiyo aur Aybo ko nazar andaaz kar deti hai, jab Tak maamle ki No'iyat Shadeed Nagawaari, pareshani aur khof tak na pahu'nch jaye,*

*❧"_ Achchhi Bivi ki ye Khoobi hai k Wo Jaanti hai k uske Khawind ne usse Muhabbat ki vajah se Shadi ki hai, isliye wo ye baat kabhi nahi bhoolti k uske Khawind ne usse Shadi is Sha'oor v Ahsaas ke Tahat ki hai k use Bivi ki Shadeed Zarurat hai Agarche baaz Awqaat unke Darmiyan ikhtilaaf raay aur ladayi jhagda bhi ho jaye _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -26,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-11* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Behatreen Aurat Apne Khawind ke Pasandida Umoor poore karne ke liye bharpoor koshish karti hai, Agarche unme se kuchh ese Napasand bhi ho magar wo Khawind se Apne pyar ke izhaar ke liye Uske Saare Ahkaam poore karti hai_,*

*❧"_ Achchhi Bivi me ye Khoobi bhi hoti hai k Wo har Ladayi aur ikhtilaaf ke baad Apna Muhasba karti hai aur Apne se Sawal karti hai :- Mere Khawind ne jo kuchh kaha aur jo kuchh kiya, Aakhir uski vajah kya thi ? Aur Mai'ne kya Kotaahi ki thi k maamla is qadar bigad gaya ?*

*❧"_ is tarah wo kisi doosre ke batane se pehle hi Apne Aibo aur Galtiyo'n ka khoj lagane ki koshish karti hai, is khud Ahatsabi ke baad wo fir Apne Aapse Sawal karti hai k kya us waqt Khawind se Takraar karne ke bajaye Khamosh rehna munasib nahi tha ? Kya usse Thande Lehje me baat karna zyada mozu nahi tha ?*

*❧"_ is Usloob ke Saath Behatreen Aurat Apne Shohar ke Saath Yu'n pesh aati hai Goya k Wo kisi haalat me bhi usse beniyaz aur beprawah nahi hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -31,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐ *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-12* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Meri Pyari islami Behno! ab Mai'n tumhe ek Aham Waqia sunata hu'n Jisme Tumhare liye bahut se Qeemti Sabaq chamak rahe hai'n, Tum in Baato ko hamesha ke liye Apna Dastoore Amal bana lo,*

*❧"_ Jab Asma bin Kharja ne Apni Beti ki Shadi ki to Shabe Urusi uske paas gaya aur kehne laga:- Pyari Beti ! Agarche Tumhe Azdwaji Adaab sikhane ka haq Aurto'n hi ko zyada hai ( magar unki gair mojoodgi me Ab mujhe hi ye Farz ada karna pad raha hai Kyu'nki) Tumhe Adaab sikhana bahut zaruri hai _,"*.

*❧"_ Pyari Beti ! Apne Khawind ki khadima ban kar rehna, is tarah wo tumhara gulam aur khaadim ban jayega، Usse itni qareeb na hona k wo tumse ukta jaye aur usse itni door bhi na rehna k tum uske liye bojh ban jao aur uske Saath Yu'n rehna jese maine Tumhari Maa'n se kaha tha :-*

*❧"_ Meri Galtiyo'n per mujhe maaf karti rehna, Tumhe meri Daymi Muhabbat milegi aur jab Mai'n Joshe Gazab se jal raha hu'n to mere Saath Takraar na karna, mujhe kabhi Dhol ki Thaap ki tarah chot na lagana kyunki Tumhe nahi maloom k Khawind ki judayi kesi Zaalim cheez hai, Maine dekha hai k jab Dil me Muhabbat aur Nafrat ikatthi ho jaye'n To Muhabbat jald khatm ho jati hai _,"*

*❧"_ isi tarah Hum Aksar dekhte hai'n k Khawind se galti ho jati hai aur baat Talaaq tak pahu'nch jati hai, is haalat me Agar Bivi Sabr v Sabaat ka muzahira kare, Apni Napasandidgi, nafrat aur Bugz v Keene ka izhaar na kare to Khawind bahut jald Naadim ho jayega aur Apni galti Mehsoos kar lega _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -32,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-13* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Ab darje Zail Waqi'a padh kar Ek aur Nasihat per gor kijiye:- Jis Lamhe Abdullah bin Ajlaan ke dil per Shaitaan Gaalib aa gaya aur gaiz v gazab uski Aqal ko kha gaya to usne Apni Bivi ko Talaaq de di, Lekin jab uski Bivi ne uske gaiz v gazab ka jawab Khamoshi aur pur sukoon Waqaar ke saath diya aur uske Saath ladayi jhagde se gurez kiya to use Apni Lagzish ka Ahsaas ho gaya,*

*❧"_ Wo Apni Bivi se badi Muhabbat karta tha, Lihaza Apne is fail per Sakht Naadim aur Nihayat Gamgeen hua, Apne Sadme ke izhaar ke liye usne kuchh Shayr kahe, Hum unme se sirf Do Ash'aar ( Tarjuma ) darj karte hai'n:-*
*"_ Mai'ne (Shaitaan ki ) farma bardaari karte hue hind ko Talaaq de di, fir Mai'n uski Judayi per bahut Naadim hua ( aur Ab ) Aa'nkho se Aa'nsuo'n ki jhadi lagi hai, Goya Aa'nkh ke gosho se moti gir rahe hai'n _,"*

*❧"_ Humne kitne hi ese Shohar dekhe hai'n Jo Josh v gazab me ya kisi nayi Muhabbat ki talash me Talaaq de bethte hai'n aur Apni Bivi se Paimane Wafa Tod dete hai'n, Hala'nki islam ki nazar me unka ye fail Hargiz Qabile Qadr nahi hai, Balki ye to Akhlaq v Murawwat ke bhi khilaaf hai, Ye Aurat ki zimmedari hai k Wo ghar me paida hone wali har mushkil ka hal Hikmat v Danaayi se nikaale taki uska ghar Abaad rahe, barbaad na hone paye,*

*❧"_ Mera Khayal hai k Azdwaji Zindgi khush gawaar banane ka Saliqa aur gharo ko Abaad rakhne ka Sahi Tareeqa bilkul Waaze ho gaya hai, Ab hum Aage ke part me Behatreen Aurto'n ke digar Ausaaf v Khasa'il ka bayan karenge, in Sha Allah,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -33,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-14* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Khawind Ki gair Mojoodgi me iffat v Asmat ki Hifazat:-*

*❧"_ Musalman Aurat Ka Apne Khawind per ye Haq hai k Wo use Baddayanat na samjhe aur uski Khamiyo'n aur Lagzisho ki Toh me na rahe, iske Bar Aks Khawind ka Bivi per ye Haq hai k wo uski gair mojoodgi me Apni iffat v Asmat ki Hifazat kare,*

*❧"_ Meri Pyari islami Behno! Islam Tumhe Khawind ki gair mojoodgi me ghar se nikalne ki ijazat nahi deta, jab tak Khawind ghar se bahar qadam rakhne ki ijazat na de, ghar se Hargiz na niklo, Jab Tum uski razamandi ke bager ghar se niklogi aur use Apni gair mojoodgi ki bina per iska ilm nahi hoga to tum Gunaho me mubtila hone aur Apni iffat v Asmat ko bager Sha'oor v Ahsaas zaaya karne ki koshish karogi,*

*❧"_ Agar Khawind Tumhe Apni gair mojoodgi me ghar se bahar nikalne ki ijazat de de to Tumhe Apne Tamaam Mamlaat me Allah Ta'ala ki nigrani ka bharpoor Ahsaas rakhna chahiye, Ye Ahsaas behad zaruri hai Hattaki tum Apne ghar lot aao,*

*❧"_ Bila Shubha Behatreen Aurat har Waqt ye khayal rakhti hai k Jis qadar wo Apni izzat v Namoos ki Hifazat karegi, Usi qadar use Allah Ta'ala ki muhabbat haasil hogi aur uska Khawind uska Adab v Ahatram karega aur uski Fazilat ka muatrif ( iqraar karne wala ) hoga _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -34,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-15* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Iske Bar Aks Esi Aashiq Mizaaj Aawara Aurat jo ghar se nikal kar Khawind ki be khabri me, Apni Sharm v Haya aur izzat Taar Taar kar deti hai'n, Wo Apne Rab Ko kya jawab degi Jisne Uska Har Har Amal likh rakha hai aur uske Har fail ki har Aan nigrani kar raha hai, Wo jo Jumla bhi bolti hai Use Naama A'amaal me likh diya jata hai aur Qayamat ke Din use Nashr kar diya jayega _,"*

*❧"_ iffat v Asmat ki Hifazat ka matalab ye hai k Tum Apne Khawind ki gair mojoodgi me kisi bhi Ajnabi ko Apne ghar me Daakhil hone ki ijazat na do, Janab Tameem bin Salma Reh. bayan karte hai'n k Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu Hazrat Ali bin Abu Taalib Raziyallahu Anhu ke ghar kisi kaam se aaye magar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko ghar me mojood na paya to Waapas chale gaye,*

*❧"_ Dobara aaye to Hazrat Ali Raziyallahu Anhu fir bhi mojood na they, Lihaza Waapas Tashreef le gaye, is tarah Do ya Teen faire lagaye, Jab Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Tashreef laye to unhone kaha - Jab Tumhe Kaam Hazrat Fatima Raziyallahu Anha se tha To tum mere ghar kyu nahi gaye ? Yani Tum Apni Zarurat ki cheez Fatima Raziyallahu Anha se Talab kar lete,*
*"_ is per Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne farmaya - Hume Aurto'n ke paas unke Khawindo ki ijazat ke bager jane se mana kiya gaya hai _,"*

*❧"_ Ye Us Mubarak Ahad ki baat hai jab Mard Hazraat gair Aurto'n ke paas unke Khawindo ki gair mojoodgi me jane se haya karte they, Aaj ke Daur me jo halaat hai'n Wo Sabko maloom Hai'n, Aaj Ajnabi Mard doosro ke gharo me Khawindo ki gair mojoodgi me badi Ragbat se jate hai'n, is Tarze Amal ki vajah ye hai k unke Dilo se Haya aur Allah Ta'ala ka khof khatm ho gaya hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -35,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-16* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_Pyari islami Behno! Tum Behtreen Aurat ban jao aur Khawind ki gair mojoodgi me uske Haq ki is tarah hifazat karo Jis Tarah uski mojoodgi me karti ho, Uska Maal galat Tareeqe se istemal na karo Jiska Usne Tumhe Ameen banaya hai , is Amanat me Khayanat na karo Varna Tumhe Hasrat v Nadamat ka Saamna karna padega _,"*

*❧"_ Meri Pyari islami Behno ! Agar Tumhe dekh kar Tumhare Khawind ko Farhat v Sarwar haasil hota hai aur Jab Wo tumhe koi hukm deta hai to Tum uski ita'at karti ho aur Agar tum uski mojoodgi aur Gair mojoodgi me uske Haq ki Hifazat karti ho to tum Yaqeenan Misaali aur Mo'azziz Khawateen ke Aali martabe ke qareeb pahu'nch gayi ho, Yaqeenan Behatreen Aurto'n ko esa hi hona chahiye,*

*❧"_ Ek dafa ka zikr hai k Ek Din Qazi Shareeh imaam Sa'ami Reh. Ko mile to imaam Sa'ami Reh. ne unse unke gharelu halaat dariyaft kiye, Qazi Shareeh kehne lage:- Maine guzishta 20 barso me Apne ghar walo me esi koi cheez nahi dekhi Jo mujhe gussa dilaye aur Naraaz kar de, imaam Sa'ami Reh. ne ye sun kar Tajjub se puchha - ye kese mumkin hai ?*

*❧"_ Qazi Shareeh ne Tafseel batayi aur kaha - jab Mai'n pehli Raat Apni Bivi ke paas gaya to uska Mahsoor Kun husn dekh kar dang reh gaya, Maine Dil me socha - mujhe Wazu kar ke is Ni'amat per Allah Ta'ala ke shukr ke liye Do Raka'at Nifl padhne chahiye, Chuna'che maine Nifl padhi aur Salam faira to dekha k meri Bivi bhi mere saath hi Nifl padh rahi thi, usne bhi mere saath hi Salam faira,*

*"_ Jari Agle part me ___,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -36,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-17* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Jab mere ghar se Azeezo Aqarib aur Dost Ahbaab rukhsat ho gaye to Mai'n uske paas gaya aur uski Taraf Apna haath badhaya, Wo boli - Abu Umayya ! Zara thehriye, fir wo kehne lagi - Sab tareefe Allah hi ke liye hai'n, Mai'n usi ki Tareef bayan karti hu'n aur usi se madad maangti hu'n aur Muhammad ﷺ aur Aapki Aal per Darood bhejti hu'n, Mai'n ek Ajnabi hu'n, Mujhe Aapke Akhlaaq ka ilm nahi hai, Aap apni pasand aur na pasand ki baate bata dijiye taki Mai'n Aapki pasandida baato per Amal kar Saku'n aur Napasandida baato se gurez karu'n,*

*❧"_ Bila Shubha Aapki Qaum me Aapke liye Rishte bahut they aur meri Qaum me bhi mere hum palla Nojawan mojood they lekin Allah Ta'ala jab kisi kaam ka faisla farmata hai to wo ho kar rehta hai, Ye Allah hi ka Amr hai k hamari Shadi ho gayi hai, Ab Aap Allah ke Hukm ke mutabiq ya to mujhe umda Tareeqe se basa le'n ya Ahsaan karte hue Azaad kar de'n, Mai'n inhi Alfaaz per Apni baat khatm karti hu'n aur Allah Ta'ala se Apne aur Aapke Gunaho ki Bakhshish ki talabgaar hu'n,*

*❧"_ Qazi Shareeh kehte hai'n:- Ey Shaami ! Allah ki qasam ! Meri Dulhan ne us moqe per mujhe bhi Taqreer per majboor kar diya, maine kaha - Tamaam Tareefe Allah hi ke liye hai'n, Mai'n usi ki hamd bayan karta hu'n aur Mai'n Nabi Kareem ﷺ aur Aapki Aal per Darood bhejta hu'n, Beshak tumne badi Danish mandana baate ki hai'n, in per Saabit qadam rahogi to tumhe unke mutabiq bada Achchha sila milega aur Agar Tumne unki khilaaf varzi ki to yahi baate tumhare khilaaf hujjat v Daleel ban jayengi _,"*

*❧"_ Mujhe ye ye baate pasand hai'n aur Fala Fala kaam na pasand hai'n, Tum meri jo Achchhi baat dekho, use Aage bayan kar sakti ho aur jo khaami dekho, use Poshida hi rakhna, Usne puchha - Aap mere maayke walo ke saath Mel milaap kis had tak pasand karenge ? Maine kaha - mujhe ye pasand nahi k mere Sasurali Rishtedar ( Apni Ba Kasrat aamad v raft se ) mujhe ukta de'n,*

*"_ Baqi Agle part me jaari _____,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -38,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-18* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Usne dariyaft kiya - Aap kin padosiyo ko ghar me aane ki ijazat dena pasand karte hai'n taki Mai'n unhe aane ki ijazat du'n aur kinka Dakhila Aap Napasand karte hai'n taki Mai'n bhi unse Khabardaar rahu aur ghar me dakhil hone ki muma'nat Karu ? Maine kaha - Fala'n log bade nek aur Saleh hai'n, ( unhe ijazat de Dena ) aur fala'n Achchhe log nahi hai'n ( unhe mana kar dena )*

*"❧_ Janab Shareeh kehte hai'n - maine uske saath Armano bhari Raat guzaari, fir uski rafaqat me ek saal beet gaya, is dauraan me mujhe uski koi Napasandida baat nazar nahi aayi, Ek din Mai'n Adalat se Waapas Aaya to Maine Apni Saas ko ghar me mojood Paya, Saas ne mujhse puchha- Tumne Apni Bivi ko kesa paya ?*

*❧"_ Maine kaha - meri Bivi bahut Achchhi hai, usne kaha - Allah ki qasam! Mard apne ghar me naaz nakhre wali Bivi se badh kar koi Buri Cheez nahi late, isliye Ba Waqt Zarurat use Adab sikhana aur uske Akhlaaq durust rakhne ke liye uski Tehzeebi Tarbiyat zaroor karna,*

*❧"_ Shareeh kehte hai'n - meri ye Bivi Bees Saal mere Saath rahi aur use kisi maamle me mujhe Saza dene ya Daa'ntne ki zarurat pesh nahi aayi, Sivaye ek martaba ke aur dar Haqeeqat usme bhi Mai'n hi qusoorwaar tha_,"*
*❧"_ Yaqeenan! Misaali Khawateen ko esa hi hona Chahiye _,"* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -39,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-19* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Janab Aamish ne ek Haseen v Jameel Nojawan Aurat se Shadi ki jabki wo khud khush Shakl na they, Unhone ek Din Khush Ho kar kaha - in Sha Allah Mai'n aur tum jannat me jayenge, Usne puchha - Aapko iska ilm kese hua ? Kehne lage - Mai'n Allah ka Shukr Ada karta hu'n k usne mujhe tum jesi Haseen v Jameel Bivi ata ki hai, Tum meri Bad Soorti per Sabr karti ho, Lihaza Shakir aur Saabir Afraad jannat me jayenge,*

*❧"_ Hijaaj ne ibne Qariya se kaha - Shadi ke bare me tumhari kya raay hai ? Unhone Jawab diya - Mai'n Duniya me Sabse Zyada khush Naseeb Shakhs, Sabse Zyada khush v Khurram, Sabse Pakiza aur umda zindgi guzarne wala Shakhs hu'n, jise Allah Ta'ala ne Musalman, Alambardaar, iffat v Asmat wali, Haseen v Jameel, Naram Dil v Naram Mizaaj, Safaa'i pasand aur ita'at guzaar Bivi ata ki hai _,"*

*❧"_ Khawind Koi Amanat uske Hawale kare to wo use Amanatdaar paye, Us per Tanhdasti ke din aaye to use Qana'at Pasand paye, Wo uske paas mojood na ho to use Apni izzat v Namoos ki Hifazat karne wali paye, Uska Khawind hamesha khush haal aur Aasooda nazar aaye, Uska Hamsaya Salamti ke Saath reh Raha ho, Uska Gulam Amno Amaan me ho, uski Aulaad Saaf Suthri dikhayi de, Jiske Hilm v Burdbaari ne uski Tursh Rui ko chhipa diya ho, Uske Deen ne uski Aqal v Danish ko Zeenat Bakhshi ho,*

*❧"_ To ye Aurat ek Mehakte hue guldaste Aur Samar Baar Khajoor ke Darakht ki tarah hai, Us Shakhs ke liye jo uski mehak se lutf andoz aur uske phal se Lazzat Aashna ho, Ye Aurat us Moti ki tarah hai Jisme Abhi Suraakh na kiya gaya ho aur uska Asli Husn v Jamaal baqi ho, Ye Aurat us mushk ki tarah hai jiski Mahak ko chheda na gaya ho, Raat ko Tahajjud guzaar, Din ko Rozedaar, Hamesha Ha'nsti Muskurati nazar aane wali, Khush haali dekhe to Allah ka shukr Baja laye aur Tangdasti me mubtila ho to Sabr kare, Jis Shakhs ko Allah Ta'ala esi Bivi ata kar de, Wo Duniya v Aakhirat me Kamyaab v Kamraan ho gaya,* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -40,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-20* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Ameerul Momineen Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu Ke Nazdeek Behatreen Aurat ki Khoobiya'n:-*
*❧ "_ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n -( Misaali Aurat ki Khoobiya'n ye hai'n) Musalman ho, Aqalmand ho, Sharm v Haya ki Paikar, Sanjeeda aur Ba Waqaar, Narm Mizaaj, Zyada Muhabbat Karne wali, Zyada Bachche paida karne Wali, Masa'ib v Aafaat me Khawind ki madadgaar aur Khawind ko Mushkilaat ke Hawale na karne wali ho, Lekin esi Aurate'n bahut Kam hai'n _,"*

*❥➾"_ Hazrat Ali bin Abu Taalib Raziyallahu Anhu ke Nazdeek Afzal Aurat ke Ausaaf:-*
*❧ "_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n - Behatreen Aurat wo hai Jiski Mahak khush gawaar ho, Khana Pakiza ho, ( Paisa ) kharch kare to Miyana Ravi Akhtyar kare, Sambhal kar rakhe to bhi aitdaal aur Miyana Ravi ko haath se na jane de, Esi Aurat Allah ke Kaarkuno me se hai aur Allah Ka Kaarkun kabhi zaleel, Ruswa aur Namuraad nahi hota,*

*❥➾"_ Ek Aarabi ke Nazdeek Behatreen Aurat ke Khasa'il:-*
*❧ "_ Ek Aarabi se Behatreen Aurato ke Ausaaf puchhe gaye to usne kaha - Aurto'n me Afzal Aurat wo hai k Jab Khadi ho to Sabse lambi ho, Bethe to sabse Azeem aur pur Waqaar dikhayi de, Baat kare to sabse Sachchi ho, Gussa aaye to Haleem v Burdbaar ban jaye, Ha'nsi aaye to khoobsurat Muskurahat bikher de, Koi cheez pakaye to gurba me baa'nte, Jo Apne Khawind ki ita'at Sha'ar ho, Apne ghar me Thehri rahe, Apni Qaum me Mo'azziz v Muhatram ho, Apni zaat me Aajiz v Haqeer ho, Zyada muhabbat karne wali, Zyada Bachche janne wali ho aur uska Har kaam layaqe Tareef ho,*

*❧ "_ Meri islami Behno! Behatreen Aurat ki Khoobiya'n Seekho aur un Sifaat per gor v Fikr karo jo Allah Ta'ala ne Qur'an Majeed me bayan farmayi hai'n, Qur'an tumhare liye Abdi Hidaya, zindgi ka dastoor, Noore Mubeen aur Fuqane Hameed hai, Mazeed bara'n Nabi Kareem ﷺ ke irshadaat, Salfe Saleheen, Sahaba Kiraam aur Taba'ien Azaam ke Farameen ki Roshni me Behatreen Aurat ke Ausaaf per gor kijiye, Fir Apna Jaayza lo aur Apne Dil se puchho - kya mere andar ye Khoobi mojood hai ? Kya maine ye Tareeqa apnaya hai ? Tum in Sifaat ko Akhtyar kiye hue ho to Allah Ta'ala ka Shukr karo k usne Tumhe Tofeeq ata farmayi aur Agar tum in Sifaat se Mehroom ho to ye Tumhare liye Nasihat hai aur Nasihat mominaat ko nafa deti hai,* 

     *®_Ref:- Misaali Aurat -41,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-21* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Allah Ta'ala ke Azaab se Darne Wali Aurat:-*

*❧"_ Allah Ta'ala se darne aur khof khane me Jahannam ka dar, Jabbar ke khof se girya v zaari aur Qahaar ke Huqooq me Kotahi per Nadamat ka izhaar Shamil hai, Yahi wo Qabile Tareef khof hai jo insaan ko uski mehboob cheez Yani Jannat ke Husool me Kamyaabi aur Jahannam se Nijaat dilata hai,*

*❧"_ Allah Ta'ala ka dar un Momin Aurto'n ki Sifat hai Jinke Dil Allah Ta'ala ka Sun kar Naram ho jate hai'n aur Jo Apne Aibo aur Gunaah yaad kar ke rone lagti hai'n,*

*❧"_ Meri Pyari islami Behno! Aaj Musalman Aurto'n ka ye haal ho gaya hai k jab wo maut ka Tazkira ya Jannat aur Jahannam ka Zikr Sunti hai'n to na koi Nasihat pakadti hai'n Balki "jannat aur Jahannam" do ese Alfaaz hai'n Jinki Taraf wo dhyan dena bhi gawara nahi karti,*

*❧"_ Unki ye haalat isliye hai k unke Dilo se Khofe ilaahi khatm ho chuka hai, Duniya ko Haasil karna unka Awwaleen Maqsad ban gaya hai aur Yahi unka Muballig ilm hai, Wo Duniya ki Chaka Chondh se dhoka kha gayi hai'n aur usko haasil karne me Magan ho kar halaak ho gayi hai'n, Duniya v Aakhirat me nakaam v Namuraad ho gayi hai'n aur ye bahut bada khasara hai,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -42,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-22* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Pehle Zamane me Momin Aurte'n Nihayat muttaqi, Parhezgar, Nekiyo'n per kaar band, ilm ki mutalashi aur Allah Ta'ala se bahut darne wali hoti thi'n, Unke Aa'nsu Khofe ilaahi se behte rehte aur unke Qadam Taveel Nifli Namaze padhne aur Rahman ki ita'at wale A'amaal Baja lane se Sooj jate they,*

*❧"_ Unhone zindgi ke milne wale moqo se bharpoor fayda uthaya aur bahut Azeem kaamyabi unka muqaddar ban gayi, Wo Duniya ki Rangeeniyo me Gaafil nahi hui aur ye chand Roza Haqeeri Duniya unhe Qabr ke jaza v Saza wale Taveel Arse me Allah Ta'ala ke saamne Jawab dah hone aur Hashar ke Din nange Paa'nv nange Badan khade hone se Gaafil kar bhi kese Sakti thi,*

*❧"_ Meri Pyari Momina Behno! Unhone ba Khoobi jaan liya tha k har aane wali cheez qareeb hai, Maut Apni Behoshiyo samet aane wali hai, Qabr Apni Holnakiyo ke saath bahut qareeb hai, Qabro se ji uthne ka waqt aane wala hai, Qayamat Apni Tamaam Holnakiyo samet barpa hone wali hai, Us waqt Har Musalman Aurat yaad karegi k kis tarah Nijaat pane Waliya'n Allah Ke Khof ke sabab se Nijaat pa gayi'n, aur Nakaam v Namuraad hone wali Khawateen, Khofe ilaahi se Gaflat ki vajah se khasare ka Shikaar ho gayi'n,*

*❧"_ Unki Aa'nkho se Hijaab hata diya gaya to unhone apne bure A'amal dekhe, Jabki hamara Rab hum sabko Pukaar kar keh raha hai:-( Surah - Qaaf-22) "Yaqinan Tu usse Gaflat me tha to humne ( Teri Aa'nkho se ) Tera parda hata diya, Chunache Aaj Teri nigaah bahut tez hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -42,*
       ❂
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-23* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Salfe Saleheen me se ek buzurg Yazeed Raqashi Apne Nafs ko mukhatib kar ke kaha karte they :- Ey Yazeed! Tera bhala ho, Maut Ke baad Teri Namaze kaun padhega ? Marne Ke baad Teri Taraf se Roze kaun rakhega ? Faut ho jane ke baad Teri Taraf se Rab ko kaun Raazi karega ?*

*❧"_ Ey Logo'n ! Tum Apni baqi Zindgi me Apne Gunaho per Rote kyu nahi ? Jis Shakhs ke peechhe maut lagi ho, Qabr Jiska ghar ho, Mitti Jiska Bistar ho, Zehreele Keede jiske Saathi ho aur uske Saath Saath wo Qayamat Ki Holnakiyo ka muntazir bhi ho, Uska Haal kya hoga ? Fir Aap khoob rote they,*

*❧"_ Khofe ilaahi bahut badi Mat'a hai, Har Sachche Musalman ka Dil uski Aarzu karta hai aur uske Waseele se Apni islaah karta hai, Hazrar Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu farmate hai'n - Qur'an Sunnat ko thaam lo Kyu'nki Jo Shakhs Qur'an v Sunnat Ko Thaam leta hai aur Rehman ke Zikr per Khofe ilaahi ki Vajah se uske Aansu beh nikalte hai'n, use Jahannam ki Aag nahi chhu sakti,*

*❧"_ Aur Jo Shakhs Siraate Mustaqeem per chalta hai aur Zikre ilaahi ke waqt Khofe ilaahi se uske rongte khade ho jate hai'n, Uski Misaal us Darakht jesi hai Jiske Patte Khushk ho chuke ho'n, Jab Tez hawa chalti hai to Uske Saare Patte jhad jate hai'n, is tarah us Shakhs ke Gunaah Allah ke khof ke baa'is jhad jate hai'n,* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -43,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-24* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ _Hazrat ibne Malika Reh. Farmate hai'n - maine Hazrat Abdullah bin Amru Raziyallahu Anhu ko Namaz ki haalat me Rote hue dekha to Maine puchha - Aap kyu Ro rahe hai'n ? Unhone kaha - Kya Tum khasiyat E ilaahi per Tajjub kar rahe ho ? Fir Chaand ki Taraf ishara kar ke farmaya - Allah ke Khof se to ye Chaand bhi rota hai _," ( Abu Naiem -1/145)*

*❧"_ Meri Pyari islami Behno! Ja Jamadaat bhi Khofe ilaahi se ro dete hai'n to kya Ye Manzar tumhe Allah ke khof se rone ki Dawat nahi deta ?*

*"❧_ Khofe ilaahi ka bahut bada Ajro Sawab hai, Hazrat Ka'ab Ahbaar ke is irshad per gor kijiye, Wo farmate hai'n - Apne Wazan ke barabar Sona Sadqa v Khairaat karne ki nisbat mujhe Allah ke khof se is tarah Rona zyada pasand hai k mere Aa'nsu mere Rukhsaro per behne lage, Us zaat ki qasam jiske haath me Ka'ab ki jaan hai ! Jo musalman Allah ke khof se rota hai Yaha'n tak k uske Chand Aa'nsu Zameen per gir padte hai'n to use Jahaanam ki Aag kabhi nahi chhuegi Yaha'n tak k Aasmaan se Naazil hone wali Baarish ke Qatre Jaha'n se aaye they, Wahi'n lot jayenge aur Wo kabhi bhi nahi lotenge _," ( Abu Naiem- 5/401, Ahyaul Uloom Al Gazali-4/160)* 

*❧"_ Meri Musalman Behno ! Tumhare Dil me Khofe ilaahi ka mojood hona is baat ki Daleel hai k Tumhara Dil imaan ka gahwara hai, islam se ma'moor hai aur Taqwa se muzayyan hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -46,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-25* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Aapki Rehnuma'i Ke Liye Chand Alamaat Bayan Ki Jati Hai'n:-*
*❧"_ Allah Ke Khof Ka izhaar Tumhari Zuban se hoga, Tumhari Zuban Jhoot bolne aur Geebat Karne se Ruk jayegi aur Zikre ilaahi, Pakiza Nek aur Nafamand Kalam, Qur'an Majeed ki Tilawat aur Mufeed ilm ke Muzakre me mashgool ho jayegi,*
*❧"_ Khofe ilaahi Tumhare ilm ss bhi Aya'n ho jayega, Kya Tumne Sachche Dil se Musalman Behno Ke khilaaf Dushmani, Bugz, Nafrat aur Hasad Ka Jazba nikaal kar unki bhalayi, Khair khwahi aur Shafqat v Muhabbat ke Jazbaat bedaar kar liye hai'n Ya nahi ?*

*❧"_ Allah Ka khof Tumhari Aankhon se bhi Zaahir ho jayega, Yani Tum Haraam Cheezo ki taraf nahi dekhogi, Duniya ki Ra'anaiyo per Lalchayi hui Nazar daalogi na Duniya me Baqa v Qayaam pasand karogi balki Tum Duniya ko ibrat pakadne aur Nasihat Haasil karne ke liye dekhogi aur Tumhe Allah ki Mulaqaat ki Tadap aur Jannat Ke Husool ka Shoq hoga,*

*❧"_ Tumhare Qadam ye Haqeeqat Aya'n kar denge k Tumhe Allah ka Khof hai ya nahi, yani Tum us Jagah nahi jaogi Jiski Nisbat Tumhe Maloom ho k waha'n Allah ki Nafarmani ki jati hai aur Tum waha'n ja kar Gunaah me mulavvis ho jaogi,*
*❧"_ Tumhare Haath bhi ye baat Waaze kar denge, Matlab ye k Tum Haraam Khabees aur Gandi Cheeze lene ke liye Haath nahi badhogi balki Allah Ki ita'at aur Razamandi wali Cheezo ki taraf badhaogi,*

*❧"_ Nek A'amaal karne ke baad Tumhara Zameer bhi yahi Haqeeqat ujagar karega, Kya Tumne Nek Amal Allah ki Raza aur uske Sawab ke Husool ke liye kiya hai ya Logo'n ko dikhane aur unse Waah Waah karane ke liye? Kya Tum Apne A'amaal me Riyakaari aur Nifaaq se darti ho ? Tumme Allah ka khof hoga to Tum Yaqeenan A'amale Hasna Behtar se Behtar tor per Anjaam dene ki Koshish me lagi rahogi aur Paarsayi ke za'am me kabhi mubtila nahi hogi,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -48,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-26* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ _Meri Pyari Momina Behno! Misaali Khatoon banne ke liye Tumhe Apne Rab se darna chahiye, Khofe ilaahi ke Kai Vaseele hai'n, Unme se Chand Ek ye hai'n:-*
*❧"_(1)_ Gunaho se Tauba karne se pehle Achanak maut aa jane ka khof,*
*"❧_(2)_ Huqooq E ilaahi Kama Haq Ada karne me Apni Kamzori aur Zoaf ka khof, Kyu'nki Huququllah bahut se hai'n ( aur insaan Kamzor hai )*
*"❧_(3)_ Maut Ke Waqt Ruswa hone ka Khof,*
*"❧_(4)_ Tere Poshida aur Makhfi A'amaal per Allah Ta'ala ke Muttal'a ( Waaqif) hone ka khof Jabki Tum isse Gaafil ho,*

*"❧_(5)_ Bure Anjaam aur ibratnaak Khaatme ka khof,*
*"❧_(6)_ Dil ki Narmi ka khatm ho Jana aur uske Patthar ban jane ka khof,*
*❧"_(7)_ Sirate Mustaqeem se Hat jane ka khof,*
*❧"_(8)_ Allah Ta'ala ki Ni'amato ki Kasrat se Guroor v Takabbur me mubtila hone ka khof,*

*❧"_(9)_ Allah ko bhool kar Gairullah ki ita'at me mashgool ho jane ka khof,*
*❧"_(10)_ Duniya hi me Azaabe ilaahi me giraftari ka khof,*
*❧"_(11)_ Maut ki Behoshiyo aur Takaleef ka khof,*
*❧"_(12)_ Munkar v Nakeer ke Sawalaat ka khof,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -49,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-27* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾(13)_ Azaabe Qabr ka khof,*
*"❧_(14)_ Qayamat ki Holnakiyo ka Khof,*
*"❧_(15)_Allah Ta'ala ke Saamne Khade hone ka Khof,*
*❧"_(16)_ Har Choti badi Azeem v Haqeer Cheez ke bare me Sawal ka khof,*

*❧"_(17)_ Pul Siraat aur uski Tez dhaar ka khof,*
*"❧_(18)_ Jahannam Ke Sholo aur Wehshat Naakiyo ka khof,*
*"❧_(19)_ Ni'amato se Araasta jannat aur Abdi Badshaahi se mehroomi ka khof,*
*❧"_(20)_ Allah Rabbul izzat ke Chehre Aqdas ki Ziyarat se Mehroomi ka khof,*

*❧"_ Meri Musalman Behno! Janab Faqeeh Samarkandi Reh. Ka irshad suniye, Wo farmate hai'n, Jo Shakhs Nek kaam kare use Chaar baato se khof khane ki zarurat hai:-*
*❧"_(1)_ Nek Amal ke Qubool na hone ka khof Kyu'nki Allah Ta'ala farmate hai'n,"_ Bila Shubha Allah Muttaqiyo se ( A'amal) Qubool karta hai _," ( Surah Maa'ida-27)*
*❧"_(2)_ Riyakaari ka khof Kyu'nki Allah Ta'ala farmate hai'n, "Hala'nki unhe yahi hukm diya gaya tha k Wo bandgi ko Allah ke liye Khaalis kar ke uski ibaadat kare'n _, (Al Bayyinah- 98)*

*❧"_ (3)_ A'amaal ki Wasooli aur Hifazat ka khof - Allah Ta'ala farmate hai'n, "_ Jo Shakhs ( Waha'n) ek Neki le kar aaye to uske liye Das Guna ( Sawab ) Hoga, (Al An'aam-160),*
*"_ is tarah Allah Ta'ala ne A'amaal ko Aakhirat ke din lane ki Shart laga di,*
*❧"_(4)_ ita'at v farmabardari me Ruswayi ka khof isliye k Bande ko ye ilm nahi k usne Sahi ita'at ki hai ya nahi? Irshade Baari Ta'ala hai - "_ Aur mujhe ( iski ) Tofeeq milna Allah ki madad ke Siva mumkin nahi, maine us per bharosa kiya aur usi ki taraf ruju karta hu'n _," ( Hood- 88)* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -50,*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-28* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Allah Ta'ala Ki Mati v ibaadat guzaar Aurat:-*

*❧"_Salfe Saleheen Ke Ahad Mubarak me Momin Aurto'n ne Behatreen Aurat Ke martabe tak pahu'nchne ke liye Jo Buniyadi kaam kiye Unme se ek Tazkiya Nafs bhi hai, Tazkiya Nafs se muraad Nek A'amaal Anjaam dene aur Halaak karne wale Gunaho'n se ijtinab kar ke Dil me imaan ko Mazboot banana hai,*

*❧"_Hazrat Hafsa binte Sireen Reh. ne jo Jaleelul Qadr Taaba'i Hazrat Muhammad bin Sireen Reh. Ki Hamshira thi'n, 12 saal ki umr me poora Qur'an Majeed padh liya tha jabki unki Wafaat 90 saal ki umr me hui,*
.
*❧"_ Janab Hisham bin Hassan Reh. kehte hai'n k Hazrat Hafsa Apni masjid ( Ghar me Namaz ki jagah ) me dakhil hoti to Zuhar aur ASR ki Namaze Ada karti, Fir jab tak Allah chahta wo Zikr karti rahti thi'n, Fir wo kisi Zaruri kaam ya Qelula ke liye nikalti thi'n,*

*❧"_ Janab Habeeb Azmi ki Zoja Mohatrama Apne Khawind ko Rehman ki Farma Bardari ke kaamo ki Targeeb dilaya karti thi'n aur Wo Apni Zoja ko Nek A'amaal ka Shoq dilate they, Ek Raat Wo uthi to dekha k unka Khawind Soya hua hai, Unhone Sehri ke Unhe jagaya aur kaha - Hazrat Uthiye! Raat khatm ho gayi aur Din chadh aaya hai Jabki Aapka Raasta aur Safar bahut Lamba hai, Raaste Ka Samaan Bahut thida hai, Nek Logo'n ke Qafile humse bahut aage nikal chuke hai'n aur hum pichhe reh gaye hai'n _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -53,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-29* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Khush haali me Shukr Guzaari:-*
*❧"_ Islam me Shukr ka maqaam v martaba bahut buland hai, baaz Salfe Saleheen ne to Shukr ko Nisf imaan qaraar diya hai, Imaam ibne Qayyim Reh. Kehte hai'n k Shukr ki Haqeeqat ye hai k Allah Ta'ala ki Ni'amat ka izhaar Bande ki zuban se aitraaf aur Tareef ki Shakl me ho aur uska Dil Allah Ta'ala ke Ahsanaat v inamaat ki muhabbat se Sarshaar ho kar gawahi de, uske A'aza farmabardari aur ita'at ke Zariye se uska izhaar kare'n,*

*❧"_ Ey Musalman Behno ! Tumhara kya haal hai ? Kya Tum Allah ki har Ni'amat per Shukr Ada karti ho? Allah Ta'ala ki taraf se Shukr Guzaar Afraad ke liye ek bahut badi Khush khabri ye hai k Allah Ta'ala unki Ni'amato me izaafa farma dete hai'n, Allah Ta'ala ka irshad hai - Agar tum Shukr karoge to Yaqinan me tumhe Mazeed ( Ni'amate) ata karunga,*

*❧"_ Tumhe ye Baat hamesha yaad rakhna chahiye k Allah Ta'ala ki har Ni'amat ata hone per Tumhare Zimme Allah ka Haq pehle se badh jata hai, Janab Jaafar bin Muhammad kehte hai'n:- Allah Ta'ala Apne Bande ko jo Ni'amat bhi ata karta hai jiska aitraaf wo Apne Dil se aur uska Shukr Zubaan se karta hai to Allah Ta'ala ka haq mazeed badh jata hai,*

*❧"_ Musalman Aurat ke liye Allah Ta'ala ki ata karda Ni'amato me se sabse badi Ni'amat konsi hai ? Muslaman Aurat ke liye Haasil Shuda Ni'amato me sabse badi Ni'amat islam hai,*
*"_ Janab Khalid bin ma'adan bayan karte hai'n k Unhone Abdul Malik bin Marwan ko ye kehte hue suna - Banda Jo Kalmaat kehta hai, Unme Allah Ta'ala ko Sabse Zyada Mehboob Ada E Shukr ka ye Baleeg Jumla hai :- Alhamdulilla hillazi An'ama Alaina wa Hadana Lil islam _," ( Tarjuma) Sab Tareefe us Allah ke liye hai'n Jisne hum per Ni'amate barsayi aur hume islam ki Hidayat ata ki,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -63,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-30* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Meri Musalman Behno! Tum Rozana Allah Ta'ala ki Do Ni'amato ke Darmiyan zindgi basar kar rahi ho, Ek Tumhare Wo Gunaah Jin per Allah ne parda daala hua hai aur Tum bekhof ho gayi ho k Tumhe unki vajah se koi aar dilayega, Doosri ye k Allah ne Logo'n ke Dilo me Tumhare Pyar aur Muhabbat bhar di hai, Hala'nki Tumhare Amal ese nahi, Tum Allah ki ata karda Ni'amato aur Nawazisho ka shukr kese Ada karogi ?*

*❧"_ Ek Shakhs ne janab Abu Haazim se puchha - Ey Abu Haazim Aa'nkho ka Shukr kya hai ? Abu Haazim farmate hai'n - Aa'nkho ka Shukr ye hai k Agar Tum unse koi Bhala'i ki baat dekho use bayan kar do aur Agar unse koi Burayi dekho to uski parda poshi karo,*

*❧"_ Usne Sawal kiya - Haatho ka Shukr kya hai ? Aapne farmaya - unke Saath na-jaaiz aur Haraam cheez mat pakdo aur Allah ka haq mat roko, usne dariyaft - kaano ka shukr kya hai ? Farmaya - Agar unse Achchhi baat suno to use yaad kar lo aur Agar Buri baat suno to use Dafa kar do,*

*❧"_ Usne Puchha - Pet ka Shukr kya hai ? Farmaya - Uska shukr ye hai k uska zere hissa khane ke liye ho aur Baala'i hissa ilm ke liye ho, Usne puchha - Sharmgah ka Shukr kya hai? Farmaya uska Shukr Allah Ta'ala ke is irshad per Amal karna hai - ( Tarjuma) Sivaye Apni Biviyo'n Ya Kaneezo ke jinke Maalik unke Daa'nye haath hue to bila Shubha ( unki baabat) un per koi malamat nahi, fir Jo Shakhs unke alawa ( koi raah) Talash kare to ese hi log had se guzarne wale hai'n _,"*

*❧"_ usne puchha - Taa'ngo ka Shukr kya hai? Unhone farmaya - Jab Tum kisi zinda Shakhs ke Amal ko dekh kar us per Rashk karo to tum Apne qadam us qism ke Amal karne ke liye istemaat karo, aur jab tum kisi marne wale ke bure A'amaal na pasand Karo to tum Apne Qadam us jese Amal karne se rok do, is tarah tum Allah ke Shukr Guzaar ban jaoge_,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -64,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-31* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Lekin Jis Shakhs ne Apni Zuban se Shukr Ada kiya magar Apne Tamaam A'aza se Shukr Guzaari na ki To uski Misaal us Shakhs jesi hai, jiske paas ek Chaadar ho aur usne uska ek Kona pakad liya ho magar use odha na ho to use wo chaadar garmi, Sardi, Aulo, Barfbaari aur Barish se nahi bacha Sakegi,*

*❧ "_ imaam Gazali Reh. ne hamare liye Shukr ki kai esi Soorte'n bayan ki Hai'n jinka Musalman Aurat ke Dil me Shayad khayal bhi na guzra ho, Wo farmate hai'n:-*
*❧ "_ Bande ka pe dar pe Ni'amato ke Husool per haya karna bhi Shukr hai, Ada E Shukr me Apni Kotahi ka aitraaf v Sha'oor bhi Shukr hai, Qaleel Shukr Guzaari ka Uzr pesh karna bhi Shukr hai, Allah Ta'ala ke Azeem ilm ki ma'arfat aur uski parda poshi ki ma'arfat bhi Shukr hai, Ye aitraaf k Allah Ta'ala ki Ni'amate bager kisi istehqaq ke, Sirf uske Fazal v Karam se ata ho rahi hai, Ye bhi Shukr hai, is baat ka ilm k Allah Ta'ala ki Ni'amato aur uske Fazal v Karam ka shukr Ada karna bhi ek Ni'amat hai, ye bhi Shukr hai, Allah ki Ni'amato me Aajizi aur inksaar Akhtyar karna bhi Shukr hai, Ni'amat ke Husool ka Sabab banne walo ka Shukriya Ada karna bhi Shukr hai, Ni'amat ko Achchhe Tareeqe se Qubool karna aur thodi cheez ko zyada samajhna bhi shukr hai,*

*❧ "_ Meri Pyari islami Behno! Tumhe is baat per shukr Ada karna chahiye k Allah Ta'ala ne tumhe Musalman aur Momin Aurto'n me Shumar farmaya, Tumhe isliye bhi Allah ka shukr karna chahiye k usne Tumhe Sahat, maal, Khawind aur Aulaad ata farmayi, Tumhe Allah Ta'ala ka Shukr karne ki zarurat hai k usne Tumhe gamo, dukho aur Bimariyo se Mehfooz rakha,*

     *®_Ref:- Misaali Aurat -70,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-32* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Musibat me Sabr Karne aur Apne Rab ke Har Faisle per Raazi rehne Wali Khatoon:-*
*❧"_ Meri Musalman Behno! Sabr nisf imaan, Rehman Ki Khushnudi ka baa'is aur jannat ke Husool ka Sabab hai, Tumhare Rab ne Tumhe Sabr karne ka hukm diya hai, irshade Baari Ta'ala hai - Ey imaan walo ! Tum sabr aur Namaz ke saath madad maa'ngo _,"*

*"❧_ Aur Tangdasti aur Takleef me aur ladayi ke Waqt Sabr karne wale, Wohi log Sachche hai'n aur Wohi log Parhezgar hai'n, Meri Musalman Behno! Agar Tum Sabr karne wali Aurto'n me Shamil Ho jao to Allah Ta'ala tumhare liye Apni muhabbat Waajib kar dega, aur Allah Ta'ala Tumhe Azeem Ajro Sawab ata karega,*

*❧"_ Meri Momin Behno ! Ye baat hamesha yaad rakhni chahiye k Allah Ta'ala tumhare imaan ke mutabiq Tumhari Aazma'ish karta hai, Tumhara imaan bahut Mazboot hai to tumhari Aazma'ish bhi Sakht hogi aur Tumhara Deen v imaan Kamzor hai to Allah Ta'ala Tumhari Aazma'ish bhi halki karega_,"*

*❧"_ Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ka irshad suniye, Wo kehte hai'n k Maine Arz kiya - Ey Allah ke Rasool ﷺ! Logo'n me Sabse Sakht Aazma'ish kiski hoti hai? To Aap ﷺ ne farmaya - Ambiya Kiraam ki, fir un Logo'n ki jo unse Rutbe me Kam ho'n aur fir un Afraad ki jo unke baad Afzal ho'n, Aadmi ki Aazma'ish uske Deen ke mutabiq hoti hai, Uska Deen v imaan mazboot ho to uski Aazma'ish bhi Sakht hoto hai aur Agar uska imaam Kamzor ho to uski Aazma'ish bhi usi Nisbat hoti rehti hai (hattaki ek waqt esa aata hai ) Wo zameen per Gunaho se paak saaf ho kar chalta hai_," ( Tirmizi - 2398, Sunan ibne Maaja -4023, Musnad Ahmad -1/172)* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -72,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-33* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Momin Mard aur Momin Aurat ki Uske Badan, Aulaad aur Maal me Musalsal Aazma'ish hoti rehti hai hattaki k wo Allah Ta'ala se is haal me mulaqat karta hai k uska koi gunaah baqi nahi rehta Sab Aazma'ish ki vajah se maaf ho chuke hote hai'n,*

*"❧_Agar Tum ye Sawal karo k Allah Ta'ala Momin Aurat ki uske maqaam v martaba ki vajah se Aafiyat v Salaamti me kyu nahi rakhta ? To iska Jawab ye hai k Beshak Allah Ta'ala Momina ko uske Gunaaho se paak saaf karna chahta hai lekin jab uski Nekiya'n us maqsad ke liye kaafi nahi hoti to uska Rab use Gunaaho se paak karne ke liye use Aazma'ish me mubtila kar deta hai,*

*❧"_ Hazrat Abu Saied Khudri aur Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhum bhi itna kehte hai'n k humne Rasulullah ﷺ ko Farmate hue suna - Momin Shakhs ko jo bhi Takleef, Thakawat, Bimaari ya Gam pahu'nchta hai ya koi fikr v pareshani laahiq hoti hai to uske zariye se bhi uske Gunaah maaf kar diye jate hai'n,*

*"❧_ Meri Pyari Momina Behno! Yaqinan tumhe Apni Zindgi me Aazma'ish ka Samaan karna padega, kabhi ye Aazma'ish Tumhare Jism v jaan se hogi, kabhi Khawind se kabhi Aulaad aur Walden aur digar Azeezo Aqarib ke bare me hogi, is moqe per Tumhare imaan ki Quwwat Zaahir hogi kyunki Allah Ta'ala ne tumhe tumhare imaan ka imtihan lene hi ke liye Aazma'ish me dala hai, kya tum Sabr kar ke Zameen v Aasmaan ke Rab se Azeem Ajro Sawab haasil karti ho ya uski qaza v Qadr per Shikwa v Shikayat ka izhaar karti ho,*

*❧"_ Beshak Allah Ta'ala Apne nek bando ko Aazmata hai taki unke halaat, unke A'amal aur unke Naama A'amaal ko bure A'amaal se Paak kar ke durust kar de,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -73,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-34* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Meri Momin Behno! Imaan me Sabr Ka Wohi muqaam hai Jo Sar Ka Badan me hai, Jo Sabr nahi Karta uska koi imaan nahi, Lihaza Aazma'ish per Sabr karna, khud Ko jaza Faza se Rokna aur Zuban Ko Shikwa Shikayat karne se baaz rakhna Duniyavi Safar me Momin Aurat ka Zaade Raah ( Raaste Ka Kharch ) hai Taki Wo Aakhirat me Behatreen Aurto'n Ki Saf me Shamil ho sake,*

*❧"_ Sabr Ke faaydo me se ek Faayda ye bhi hai k Ye Musalman Aurat ko Jannat ka Vaaris bana deta hai, Ab ek Waqi'a suniye aur us per gor v Fikr kijiye, Janab Ata bin Abi Rabah kehte hai'n k Unhe Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu ne kaha - kya Mai'n Tumhe ek jannati khatoon na dikhau'n ? Maine kaha - Zaroor dikhaye'n,*

*❧"_ Unhone kaha - Ye Syaah Rang ki Aurat Nabi Kareem ﷺ ki khidmat me Haazir hui, kehne lagi - Ey Allah ke Rasool ! Mujhe mirgi ke daure padte hai'n aur mera Satar khul jata hai, Lihaza Allah se Dua kare'n k meri ye takleef door ho jaye, Rasulullah ﷺ ne farmaya - Agar tum chaho to Sabr Karo to tumhe jannat mil jayegi aur Agar Tum chaho to Mai'n Allah Ta'ala se Dua kar deta hu'n, Wo tumhe Aafiyat ata farma dega ?*

*❧"_ Usne kaha - Mai'n Sabr karungi, usne fir kaha- Mai'n beParda ho jati hu'n, Aap Allah se Dua kar de'n k Mai'n BeParda na hone pau'n, Bas Aapne uske liye Dua kar di _,"*
*( Sahi Bukhari - 5652, Sahi Muslim - 2576)*

*❧"_ Gor kijiye! Kis tarah us Azeem Khatoon ne jannat me dakhile ke liye Bimaari per Sabr Akhtyar kiya, Tum bhi jaan lo k Duniya me Aazma'ish per Sabr karna jannat me dakhile ki Zamanat hai,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -85,*
     
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-35* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_Meri Pyari Momina Behno! Beshak Behatreen Aurat hamesha Allah Ta'ala ki qaza v Qadr per Raazi rehti hai, Wo jaanti hai k Khair isi me hai aur qaza v Qadr per izhaare Naraazi me shar hai, Ab haalat ye hai k Aksar Musalman Aurte'n Achchhi Taqdeer per to khushi ka izhaar karti hai'n magar iske bar Aks Agar unhe koi maamla apni Tawaqqo'aat ke khilaaf nazar aaye to wo mayoos ho jati Hai'n, Ye unke imaan ki kamzori hai aur iski vajah Allah Ta'ala ki Taqdeer per Adme Aitmaad hai,*

*❧_Lihaza Agar Tum "Khairun Nisaa" ka martaba pana chahti ho to iska Tareeqa yahi hai k khushhaali me Allah ki Taqdeer per Raazi aur Shukr karne Waliyo'n me se ho jao aur Tangi aur Musibat me Sabr karte hue Allah ki Taqdeer per Raazi hone wali Aurto'n me se ho jao,*

*❧"_ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ye farmate they, Mai'n ek Angara chaat lu'n aur wo meri zuban jala de ya baqi rehne de, ye mere liye isse zyada mehboob hai k Mai'n kisi Waqa'i ho jane wali cheez ke bare me kahu'n - Kaash ye na hoti ! Ya kisi Waqa'i na hone wale Amr per zuban se ye kahu'n - kaash ! Ye kaam ho jata _,"*

*❧"_ Israili Rivayat me bayan kiya jata hai k Allah Ta'ala ne Daoud Alaihissalam ki taraf wahi ki, Ey Daoud! Ek Teri chahat hai aur Ek meri Chahat v iraada hai, hoga wohi Jo Mai'n chahunga, isliye agar Tumne meri chahat ko Tasleem kar liya to Mai'n tumhe Tumhari chahat ke liye kaafi ho jaunga aur Agar tumne meri chahat ko Tasleem na kiya to Mai'n tumhe Tumhari chahat ke Husool me thaka dunga, fir bhi hoga wohi Jo Mai'n chahunga _,"*

     *®_Ref:- Misaali Aurat -86,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-36* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Hazrat Fuzel bin Ayaaz Reh. ne ek Shakhs ko kisi se Apni Aazma'ish ka Shikwa karte suna to farmaya - Tum Raheem v Kareem Zaate ilaahi ka Shikwa usse kar rahe ho jo Tum Per Raham nahi karta aur wo khud bhi ek Makhlooq hai _,"*

*❧"_ Baaz Aslaaf Kiraam ka Qaul hai :- Jo Shakhs Naazil hone Wali Musibat ka Shikwa karta hai Goya wo Apne Rab ka Shikwa karta hai_,"*
*"_ Haa'n! Agar tum Doctor ko Apni Bimaari ki Tafsilaat batao to ye Shikwa nahi hai, Kyu'nki ye un Mamlaat me se hai Jo Allah Ta'ala ne Bando ke Darmiyan jaa'iz rakhe hai'n aur Ese Umoor Akhtyar karna jaa'iz hai,*

*❧"_ Dar Haqeeqat Shikwa ye hai k us Shakhs ke Saamne Allah ke Naazil karda Aazma'ish ki Shikayat aur Takleef ka izhaar karna jo use door karne ki Taaqat v Himmat hi nahi rakhta, Ab Agar koi Aurat Apni Saheli ya Padosan ke Paas beth kar Apni Bimaari aur Aazma'ish ka Tazkira kare aur wo uske Haal per Afsos ka izhaar kare aur kahe k Tum bahut Achchhi khatoon ho magar Mai'n Tumhari musibat me Tumhare kaam nahi aa Sakti _,"*

*❧"_ Meri Musalman Behno! Bas isi gila Guzaari ka Naam Shikwa hai, Salfe Saleheen farmate they - Chaar Cheeze jannat ke Khazano me se hai'n:- (1) Musibat ko Chhipana (2) Sadqa v Khairaat ko Poshida rakhna (3) Faqr v Faaqe ko Makhfi rakhna aur (4) Takleef ko Chhipana _,"* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -87,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-37* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_Meri Musalman Behno! Qazi Shareeh ne ek Shakhs ko Apna gam sunate hue dekha to uske Haath pakad liye aur farmaya- Ey Bhatije! Allah ke Siva kisi se Shikwa karne se bacho Kyunki Tum Jisse bhi Shikwa karoge, Wo Do haal se khaali na hoga, Wo Tera Dost hoga ya Dushman, Dost to tere gam se Gamgeen hoga magar Tujhe koi fayda nahi pahu'ncha sakega aur Dushman Teri Musibat sun kar Khush hoga_,*

*❧"_ Meri ye Aa'nkh dekho, Allah ki Qasam! Maine guzishta 15 saal se is Aa'nkh se kisi Shakhs ko nahi dekha aur maine Aaj Tak kisi ko is bare me bataya bhi nahi, Kya Tumne Allah ke ek Nek Bande ka ye Qaul nahi suna- Beshak Mai'n Apni Pareshani aur Gam ka Shikwa Allah hi se karta hu'n, Allah Logo'n ke liye ( Apni ) Rehmat se jo ( Jin Cheezo ke ) dar khol de to unhe koi band karne wala nahi aur jise Wo band kar de, Uske baad koi use kholne wala nahi aur wo Gaalib aur Hikmat wala hai _,"*

*❧"_ Aur Ek Shayar ne Sach hi kaha hai - Mai'n Allah ki Taqseem per Raazi hu'n aur maine Apna Maamla Apne Khaliq ke Supurd kar diya hai, Beshak usne Guzishta Umr me jo mujh per karam v Ahsaan kiya aur Baqiya Zindgi me bhi Agar usne chaha to Fazal v Karam hi se nawazega _,"*

*❧"_ Lihaza Aao ! La ilaaha illallah keh kar Apne imaan ki Tajdeed karo, Apni Har Musibat v Aazma'ish per Allah se Sawab ki ummeed rakho, Khabardaar ! Allah Ke Kisi faisle aur Taqdeer per Hargiz ye Alfaaz na kehna- kaash esa na hota ! Bila Shubha Tofeeq aur durusti Allah hi ata farmata hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -89,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-38* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Aajizi aur Tawazo Akhtyar Karne Wali Aurat:-*
*"❧ _ Momina Aurat Allah ki Jannat Ke Husool ke liye Apne Tamaam Mamlaat me Aajizi aur Tawazo Akhtyar Karti hai, Ni'amato ka Husool aur Duniyavi Zindgi ki Aasa'ish use mutakabbir aur Magroor nahi banati balki wo har haal me Aajiz v inksaar ka izhaar karti hai,*

*"❧ _Meri Musalsal Behno ! Jo Aurat Tawazo Akhtyar Karna chahti hai, Use Rasulallah ﷺ ki pervi karni chahiye aur Jo Aap ﷺ ki pervi ko pasand na kare, Wo bahut badi jaahil hai aur Qayamat ke Din uska Anjaam bahut dardnaak hoga, Rasulullah ﷺ ki pervi kiye bager Duniya aur Aakhirat me Bulandi aur Nek Naami ka Husool na mumkin hai,*

*"❧ _ Hazrat ibne Abu Salma Raziyallahu Anhu ne Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se kaha - Logo'n ne ye jo Rang birange Kapde pehanne, Tarah Tarah ke khane aur Nadhrubaat istemal karne aur A'ala Sawariya'n rakhni Shuru kar di hai'n, Unke bare me Aapka kya khayal hai ?*

*❧ "_ To unhone farmaya - Ey Bhatije! Allah ke liye Khao, Allah ke liye pehno, Unme se kisi cheez me bhi Tumne Fakhr v Guroor, Riyakaari ya Shohrat ka Husool Maqsad banaya to wo Gunaah aur israaf Hoga, Apne ghar me wohi khidmaat Sar Anjaam do Jo Rasulullah ﷺ Apne ghar me Anjaam dete they,*

*❧ "_ Aap Bakri ka doodh doh lete they, Apna joota khud marammat kar lete they, Kapdo ko khud Taa'nka laga lete they, Apne khadim ke saath Beth kar kha lete they, Bazaar se kharidaari ba Nafs Nafees karte they, har Ameer v Gareeb ke Saath Musafa karte aur har milne wale chhote bade ko Salam karne me pehal farmate they, Aap Dawat Qubool farmate aur Dawat me pesh ki jane wali kisi cheez ko Haqeer nahi samajhte they,*

*❧ "_ Aap Nihayat Naram Mizaaj, Milansaar, munawwar aur Kushada chehre Wale they, Shakhsiyat me badi Mahkami thi magar Shiddat na thi, aur Zillat v Ruswayi se paak Tawazo Akhtyar karte they, israaf se door, Nihayat Sakhi aur Naram Dil they _," ( Al Ahya -3/356)*

     *®_Ref:- Misaali Aurat -91,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-39* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Nabi Kareem ﷺ ne Tawazo ke Faza'il sikhate hue farmaya - Jo Shakhs Allah ke Liye Tawazo Akhtyar karta hai, Allah use buland muqaam ata kar deta hai, Imaam Navvi Reh. is Hadees ki Sharah karte hue farmate hai'n k iski Do Soorte hai'n -(1) Allah use Duniya me buland kar de, yani uski Tawazo ke sabab Logo'n ke Dilo me uska muqaam v martaba badha de, (2)_ Ye bhi mumkin hai k isse Muraad Aakhirat ka Sawab ho aur Duniya me Tawazo ke baa'is Allah use Aakhirat me Buland muqaam ata kar de,*

*❧"_ Meri Musalman Behno! Jaleelul Qadr Sahaba Kiraam ne ye Akhlaqe Hasna Rasulullah ﷺ se sikhe aur fir unhe apne Akhlaq ka hissa bana kar Apni Seerat ko Araasta kar liya,*

*❧"_ Ek Din Hazrar Umar Raziyallahu Anhu ne logo'n ko Masjid me jama hone ka hukm diya, Jab kaafi log jama ho gaye to mimbar per Tashreef farma hue, Allah Ta'ala ki Hamdo Sana bayan ki, Nabi Kareem ﷺ per Darood bheja, fir farmaya :-*
*❧"_ Logo'n maine khud ko is haal me dekha hai k Mai'n Khandaan Banu Makhzoom me Apni Khalao'n ke Ou'nt charaya karta tha, Uske badle me wo mujhe ek lap khajoor ya kishmish de diya karti thi'n aur Mai'n usi per poora Din basar kar leta tha aur ( kya batlau'n) wo kesa din hota tha ? Ye farma kar mimbar se utar aaye,*

*❧"_ Hazrat Abdurrahman bin Auf Raziyallahu Anhu ne arz kiya- Ey Ameerul Momineen! Aapne Apne nafs ko zaleel karne ke Siva kuchh nahi farmaya, to unhone farmaya - ibne Auf ! Tera bhala ho, Mai'n Tanhayi me betha tha, mere dil me khayal aaya, Mera nafs mujhe kehne laga - Aap to Ameerul Momineen hai'n, Aapse Afzal v A'ala aur kon ho sakta hai ? Pas Maine chaha k Apne nafs ko uski Auqaat yaad dila du'n _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -93,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-40* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Jaleelul Qadr Sahabi E Rasool Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ki Tawazo ki Haqeeqat aur Tawazo ki Asal jisse Har Musalman ko Araasta hona chahiye, Ke Mutalliq farmate hai'n:-*
*"_ Tawazo ki Asal bulandi ye hai k Tum Majlis me us Haqeer Tareen jagah per Raazi ho jao Jaha'n Nafs bethna pasand na karta ho, Baaz log jooto wali jagah beth jate hai'n, Hala'nki unke Dil Takabbur v Guroor se bhare Hote Hai'n, Wo esa isliye karte hai'n k log kahe'n k ye Shakhs bada mutawaza hai_,"*

*"❧ _Aap farmate they - Tawazo ki Alamat ye hai k Tu Logo'n ke Darmiyan Apni neki aur Taqwa ka Tazkira sunna pasand na kare,*

*❧ "_ Meri Musalman Behno! Ab tum dariyaft karogi k Mai'n Rabbul Aalameen ke liye Tawazo Akhtyar karna chahti hu'n magar Tawazo Akhtyar karne walo ki konsi Sifaat hai'n jinhe Mai'n Akhtyar karu'n?*
*"_Mai'n batata hu'n k Aajizi v inkaari Akhtyar karne wali Aurat ye baat pasand nahi karti k koi Shakhs uske Saamne khada ho jabki baqia log bethe ho'n Agarche wo unse muqam v martaba me buland hi ho'n _,*

*❧ "_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se marvi hai k Aap ﷺ ne farmaya - Jo Shakhs kisi jahannami ko dekhna chahta ho, Wo ese Shakhs ko dekh le Jo betha ho aur ( uski izzat ke izhaar ke liye) log uske Saamne khade ho'n _," ( Al Ahya - 3/344)*
*"_ Aapke irshad ka matalab ye hai k Jo Shakhs Apne Guroor v Takabbur ki numa'ish kare aur Apne se kam haisiyat Logo'n per Apni bartari jatlane ke liye unhe Apne Saamne khada kar ke Guftgu kare, esa Shakhs Yaqinan mutakabbir hai,* 

     *®_Ref:- Misaali Aurat -99,*
    
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-41* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾Tawazo Akhtyar karne wali Khatoon ki Ek Sifat ye bhi hai k Wo ye Pasand nahi karti k koi Shakhs uske Ahatram aur Haibat ki bina per uske pichhe pichhe chale, isliye Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Apne pichhe pichhe Logo'n ka chalna Sakht Na pasand karte they, Lekin hamara haal kya hai ? Ye hum sab per khoob Roshan hai,*

*❧"_ Aajizi v inksaar wali Aurat ki ek khoobi ye hai k Wo doosro Ke imaan aur Husne Amal ki vajah se unki Ziyarat karti hai magar Khud Apne bare me kisi za'am ka shikar nahi hoti, Wo Apni nisbat yahi Samajhti hai k Mera A'amaal naama Nekiyo'n se khaali hai,*

*❧"_ Esi Aurat jiske Tarze Amal se Doosri Aurto'n ko Dini Fayda pahu'nchta hai, Use Doosri Khawateen se Zaroor mulaqaat karni chahiye, Ye Aurat doosri Aurto'n ki Ziyarat nahi karti to uska ye Tarze Amal Tawazo ke khilaf hai jo Takabbur ke zamre me aata hai,*

*❧"_ Mutawaza Aurat ki khoobi ye bhi hai k koi bhi Mamooli Musalman Aurat uske Paas aa bethe to wo koi aar mehsoos nahi karti aur wo ye baat bhi pasand nahi karti k koi Aurta usse Haibat Mehsoos kare,* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -100,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-42* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Mutawaza Khatoon me Ye Sifat bhi hoti hai k Wo khud Taqat ke Mutabiq gharelu kaam kaaj karti hai, Hamare Liye Nabi Kareem ﷺ ki Seerat Tayyaba zindgi ke har Shobe me Rehnuma'i ka Chiraag hai, Aap Apne ghar walo ka har mumkin kaam Ba Nafs Nafees kar dete they,*

*❧"_ Mutawaza Aurat ki ek Khususiyat ye hai k Wo Apne Libaas me kisi shokhi aur bartari ka izhaar karti hai na kisi purane Kapde dekh kar koi tangi Mehsoos karti hai,*

*❧"_ Meri Musalman Behno! Umda aur naye kapdo ki mazammat maqsood nahi balki Asal baat ye hai k Jo Shakhs naye kapde pehan kar foola na samaye aur Apne Dil ko Takabbur aur khud pasandi se barbaad kar le to ye Amal Yaqinan Qabile mazammat hai, Janab Bakar bin Abdullah Mazni Reh. Farmate hai'n - Shahana Libaas pehno magar Apne Dilo ko khashiyat ilaahi se maar daalo _,"*

*❧"_ Hazrat Iysaa Alaihissalam ne farmaya - Kya vajah hai k Tum mere paas Rahibana Libaas pehan kar aate ho, Hala'nki Tumhare Dil Bhooke Bhediyo jese hai'n? Baadshaho jese Libaas Zeb Tan karo magar Apne Dilo ko khofe ilaahi se mamoor rakho !*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -101,*
      
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-43* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Mutawaza Aurat Allah Ta'ala ki us Wahi ke mutabiq Amal karti hai Jisme Allah Ta'ala ne Apne Nabi ﷺ ko Takabbur se ijtinab aur Tawazo Akhtyar karne ka hukm diya, Jo Aurat Tawazo ko Apni Seerat ka Johar banayegi, Wo Duniya v Aakhirat ki Khair v Bhala'i se Surkhru ho jayegi aur Allah Ta'ala ki Bargaah me uska Shumar Behatreen Aurto'n me hoga _,*

*"❧_ Jab Aurat Allah Ta'ala ke liye Tawazo Akhtyar Karegi to Allah Ta'ala uski Umr, Maal aur Aulaad me Barkat daal dega, Use pahu'nchne wali Takaleef door kar dega aur Logo'n ki Nazar me use Mo'azziz v Muhatram bana dega, Wo Jaha'n bhi jayegi Nihayat Mo'azziz v Muhatram qaraar payegi,*

*"❧_ Tawazo imaan ka Sha'aar hai, Jab Musalman Aurat Aajizi aur inksaar Akhtyar Karegi to Sha'aar E imaan ki Haamil ban jayegi aur wo Logo'n ki khushnudi se pehle Allah Ta'ala ki Raza Haasil kar legi _,"*

*"❧_ Jhooti aur Baatil Shohrat se gurez Musalman Aurat ki khaas Khoobi hai , Yahi Vajah hai k Musalman Aurat Tawazo aur Allah ke liye Aajizi v inksaar ka Shewa Akhtyar kar ke Riyakaari aur Guroor v Takabbur ke maqamaat se door rehti hai Kyunki yahi mazmoom Khasa'il hai'n Jo bil Aakhir jhooti Shohrat aur Baatil bartari ki Namood V Numa'ish ka mutalba karte hai'n taki Logo'n ko khush kar ke unka Taqarrub Haasil kiya ja sake, Tawazo ki khoobi Akhtyar kar ke Musalman Aurat is muhlik marz se Nijaat haasil kar leti hai, Allah Ta'ala hum sabko Guroor ki laanat se Mehfooz aur Tawazo ki khoobi se Sarfaraz farmaye,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -102,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-44* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Muslaman Aurat Jab Apne Rab ke Liye Tawazo Akhtyar Karti hai aur ye Haqeeqat Jaan leti hai k Wo Apne Har Haal aur Har Maamle me Apne khaaliq v Maalik ki Mohtaaj hai to wo Allah Ta'ala ki Rehmat aur Fazal v Karam ki Chhav me Ni'amato bhari Zindgi guzaarti hai,*
*"_ Lekin jab Wo Takabbur karegi to use jald Ahsaas ho jayega k uska Rab usse Sakht Naraaz aur Gazabnaak hai,*

*❧"_ Musalman Aurat Tawazo ke Zever se Araasta ho kar Duniya me Sa'adat v Siyadat ke Haamil khush Naseeb Tabqe me Shamil ho jati hai Kyu'nki Allah Ta'ala Tawazo Akhtyar karne walo ko Buland muqaam ata karta hai aur Takabbur karne walo past aur Haqeer kar deta hai,*

*❧"_ Ek Shayar ne kya khoob kaha hai :- "Khoobsurat Libaas Pehan kar Fakhr v Guroor se hargiz na chalo Kyu'nki Tum Pani aur mitti se paida kiye gaye ho aur Allah Ta'ala ki hum per Azeem Ni'amate aur uska bada Ahsaan aur Fazal v Karam hai, Zamana Matloob Mizaaj hai, Ye kabhi ek Dagar per nahi rehta, Kisi Shakhs ke Saare Din ek jese nahi rehte, maine Aish Parasto ki Qabeeh dekhi to mujhe unme koi chamak damak aur Ra'ana'i nazar nahi aayi, Hala'nki wo maze se pehle badi Chamak damak aur aish v ishrat wale log they _,"*

*❧"_ Meri Musalman Behno! Ab Tak hum Khairun Nisaa ki Sifaat me se ek Sifat ka Tazkira kar rahe they, Hum Allah Ta'ala se Duago hai'n k wo Tumhe ye Sifat Apnane ki Tofeeq de aur Tumhe Tawazo Akhtyar karne walo me Shamil farma de, Yaqinan Allah Ta'ala Apne iraade aur Mashiyat per khoob qaadir hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -104,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-45* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Sharm V Haya Wali :- Behatreen Aurat Tauba karne wali aur Sharm v Haya Wali hoti hai Kyu'nki wo Haya Karne Waliyo me se hai ,*
*"_ Meri Pyari Musalman Behno! Haya badi Azeemus Shaan khoobi hai, Haya Momin, Paak Daaman, Tahira aur Shareef Aurto'n ki Sifat hai, Allah Ta'ala ne Tumhe Haya ki Takeed farmayi hai,*

*❧"_ Pas Agar Musalman Aurat Haya Wali Na ho to mominaat me se nahi hai Kyu'nki jisme Haya na ho uska koi imaan nahi hota, Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k Rasulullah ﷺ ne farmaya - Haya imaan se hai aur imaan jannat me hota _, ( Jami'a Tirmizi, Musnad Ahmad)*

*"❧_ Jab Tum is qabile Tareef Sifat ko Apna logi to Tumhari Seerat v Kirdaar aur Tumhare Tamaam Mamlaat me har tarah ki Bhala'i aa jayegi, Haya Musalman Aurat ko bure Af'aal se rokti hai aur bure Akhlaaq se Mehfooz rakhti hai Kyu'nki haya ka Jazba Sarasar Khair hi khair hai _,*

*❧"_ isiliye Janabe Rasulallah ﷺ ne farmaya hai- Haya Sirf Khair hi khair lati hai _, (Sahi Bukhari, Sahi Muslim)*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -169,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-46* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Musalman Aurat Ko Allah Ta'ala se Haqeeqi Haya karni chahiye, Use Apne Sar aur Jo Cheeze usme hai'n ( Aa'nkhe, Kaan, Naak ) unki hifazat karni chahiye, Pet ke andar Jane wali khuraak aur jo cheez pet ke andar ( Dil ) hai, uska khayal rakhna chahiye,*

*❧"_ Haya Ki Teen Soorte'n hai'n - (1) Allah Ta'ala se Haya, (2) Logo'n se Haya aur (3) Musalman Aurat ka khud Apne Aapse Haya karna, in Teeno Soorto ka Ek waqt mojood hona zaroori hai taki Haya ki Shaan Mukammal ho jaye,*

*❧"_ Jo Khatoon Allah Ta'ala se to Haya kare magar Logo'n se na kare to iska Matlab ye hai k usne Logo'n ko zaleel v Haqeer samjha, aur jo Logo'n se Haya kare lekin Allah Ta'ala se na kare to usne Allah Ta'ala ki shaan aur Martaba Kam samjha, Jo Logo'n se Haya kare magar Apne Nafs se na kare to usne Apne Nafs ko Haqeer v Kamtar bana diya, Jiska Nafs uske Nazdeek Haqeer v Zaleel ho, Wo Akhlaqi iqtidaar aur umda Ausaaf ka Haamil nahi ho sakta,* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -170,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-47* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Meri islami Behno! Allah Ta'ala se Haya ka Matalab ye hai k Tum Apni Zubaan har Buraa'i Maslan - Jhoot, Geebat, Chugli, doosri Musalman Aurto'n se Mazaaq, Gandi aur Akhlaaq Soz baato se Mehfooz rakho,*

*❧"_ Allah Ta'ala se Haya karne ka Mafhoom ye bhi hai k Tum apni Nazar Haraam Cheeze dekhne se Mehfooz rakho, Musalman Aurato ke Aibo aur Khamiyo'n ki toh lagane se mukammal ijtinab karo, Sirf Halaal aur Jaa'iz Cheeze hi dekho _,"*

*❧"_ Allah se Haya ka Matalab ye hai k Tum Apni Taa'nge Tohmat aur Shukook v Shubhaat ke maqamaat aur imkanaat se door rakho, Tumhare Qadam Sirf Siraate Mustaqeem hi per chalne chahiye, Allah se Haya ke ma'ani ye bhi hai k tum Apne Kaan lahu v La'ib, behoodgi aur behayai ki baate sunne se Mehfooz rakho, Haa'n Apne Rab ka Kalaam ( Qur'an Majeed) Zaroor suniye aur Wo cheez Suniye jisme Allah ki Muhabbat v Raza ho,*

*❧"_ Allah se Haya karne ka Matlab ye hai k Tum Apne Pet me Sirf Halaal Cheez daalo aur Haraam Cheeze Khane pine se bacho, Allah Ta'ala se Haya ka Matalab ye hai k tum Aakhirat aur Allah ki Mulaqaat Yaad rakho _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -171,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-48* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_ Logo'n se Haya ka Matalab ye hai k Logo'n ko Takleef na di jaye aur jo cheez unhe pasand na ho, wo na ki jaye, Koi esa kaam bhi na karo jo husne Akhlaaq ke khilaaf ho,*

*"_ Apne nafs se Haya ka Matalab ye hai k Allah Ta'ala ke Azeem Ahsanaat aur Ni'amato ki Farawani Ke Bavjood uski ita'at Sha'ari me Apni Kotahi per Naadim raho,*

*❧ "_ Haya ke Kai Usloob aur bahut si qisme hai'n, Haya ki ek qism Gunaah se Haya hai, Ye wo Sha'oor v Ahsaas hai jo Tumhe Gunaah karne ke baad laahiq hota hai aur Tum Apne Dil me Sharmshar hote ho, Ek Jazba Haya Ahsase Kotaahi me hai aur wo ye hai k Agar Tum koi Neki kar ke Mehsoos karo k iska Haq poori tarah Ada nahi hua to Tum Nadamat mehsoos karo,*

*❧ "_ Khulasa Kalaam ye hai k Haya Musalman Aurat ka Zever hai, Jab Musalman Aurat Haya se Mehroom ho jaye to Fir wo Jo chahe kare, Yaqinan Allah Ta'ala use uske A'amaal ka badla dega, Amal Achchha hoga to jaza aur bura hoga to Saza milegi _,"*

     *®_Ref:- Misaali Aurat -172,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-49* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_Silah Rehmi Karne Wali Aurat:-*
*"❧_ islam Mukammal Zaabta E Hayaat hai, iska Maqsad Ek Esa Ma'ashra Tashkeel Dena hai Jiske log Aapas me Madadgaar aur Ek Doosre Ke Zimmedaar ho'n, Silah Rehmi Un Azeem Umoor aur A'ala Sifaat me se hai Jinke Saath Achchhi Musalman Khatoon mutasif hoti hai, Musalman Aurat Apne Rab ke Hukm ki Tameel Karti hai aur Qayamat wale Din Azeez v Aqarib ke Huqooq ke bare me baaz pursi se darte hue Silah Rehmi karti hai,*

*"❧_ Nabi Kareem ﷺ ne Silah Rehmi ki Taleem di hai aur Hume Sikhaya hai k Jab Musalman Mard aur Aurat Allah Ki Jannat Haasil karna Chahte hai'n to unhe Silah Rehmi ke Taqaze Tamaam v Kamaal poore karne chahiye, Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya - Ey Logo'n Salam Ko failao, Khana Khilao, Silah Rehmi karo aur Raat ko Namaz padho jabki Log Soye hue ho'n ( Yu'n) tum jannat me Salamti se Dakhil ho jaoge _,"( Jami'a Tirmizi - 2485)*

*"❧_Salam Aam karo yani Tum kisi ko jaante ho ya nahi jaante Sabko ba kasrat Salam karo, Apne mabeeb Salam Gaalib kar do aur ise Apna khususi Sha'aar Bana lo, mulaqaat ke waqt Majliso me, Galiyo'n aur Bazaaro me aur Apne Dastar Khwano per Garz k har jagah Salam karne ka iltizaam karo,*

*"❧_ Raat ke waqt Namaz padho, kyunki Raat ka Waqt esa Waqt hota hai k log uski Barkaat v Hasanaat se Gaafil ho jate hai'n, Jo Shakhs is waqt Namaz padhta hai, Wo Rabbul Aalameen ki Bargaah me Ajro Sawab ka mustahiq ban jata hai Kyunki is waqt Namaz padhna Riyakaari aur Shohrat Talbi se paak hota hai, Tum Jannat me Salamti se Dakhil ho jaoge _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -108,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-50* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_ Meri Musalman Behno! Jab Tum Silah Rehmi karogi to Allah Ta'ala tumhara Rizq farakh kar dega aur Tumhari Nasl me Barkat dega,*
*"_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k Rasulallah ﷺ ne irshad farmaya - Jo Ye Chahta hai k Uska Rizq farakh aur Umr Daraz kar di jaye to use Silah Rehmi karna chahiye _," ( Sahih Muslim -2557)*

*❧"_ Allah Ta'ala ne Silah Rehmi karne wale se Vaada kiya hai k Wo use Aakhirat me Apni Rehmat se Nawazega aur Jo qata Rehmi karega Allah Ta'ala use Apni Rehmat se mehroom kar dega, Hazrat Abdurrahman bin Auf Raziyallahu Anhu bhi kehte hai'n k Maine Rasulallah ﷺ ko ye farmate hue suna - Allah Ta'ala ne irshad farmaya hai - Mai'n Rehman hu'n aur Ye Rishtedari ( Raham ) hai, Maine ye Naam apne naam se rakha hai Jo use Jodega Mai'n use ( Apni Rehmat se) jod dunga aur jo ise todega Mai'n use Kaat kar rakh dunga _," ( Sunan Abi Daowd 1694, v Jami'a Tirmizi)*

*❧"_ Silah Rehmi me ye baat bhi Shamil hai k Apne Walden ke Azeezo Aqarib ke saath nek Sulook ka Had darje Ahatmam karo, Hazrat Maalik bin Rabi'a Sa'adi Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k hum Rasulallah ﷺ ki khidmat me bethe they k Aapke paas Banu Salma Qabile ka ek Shakhs aaya, usne Sawal kiya - Ey Allah ke Rasool ! Kya mere Walden ki Wafaat ke baad koi esi neki baqi reh gayi hai Jiski Badolat Mai'n Apne Walden ke Saath husne Sulook karu'n?*

*❧"_ Rasulallah ﷺ ne irshad farmaya - Haa'n! Unke liye Duae Khair karna, unke Liye Bakhshish talab karna, unke baad unke Vaado aur Wasiyat ko poora karna, unke liye ese Rishtedaro ke Saath Nek Sulook karna Jinke bager Sila Rehmi mukammal na hoti ho aur unke Dosto'n ki izzat karna _," ( Sunan Abi Daowd -5142, Sunan ibne Maaja -3664)*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -111,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-51* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Meri Musalman Behno! Bahut mumkin hai k tum Baaz Rishtedaro ke Saath Nek Sulook karo magar wo Tumhare saath bura Bartaav kare'n, Tum unhe Achchhi baat kaho aur Nek kaam ki Targeeb do lekin wo tumhare saath Ghatiya Tareeqe se pesh aaye'n, To kya iska matlab ye hua k tum qata Rehmi karo aur unse Apne Talluqaat khatm kar do ? Nahi, Hargiz nahi, ye baat is tarah nahi hai,*

*❧ "_ isi Silsile me ek Hadees Suniye ! Hazrat Abu Huraira Raziyallahu kehte hai'n k ek Shakhs ne Risalat Ma'ab ﷺ se kaha - Ey Allah ke Rasool ! Mere kuchh Rishtedaar ese hai'n k Mai'n unko jodta hu'n magar Wo mujhse Talluq todte hai'n, Mai'n unse Husne Sulook karta hu'n lekin wo mujhse Burayi ke Saath pesh aate Hai'n, ( Lihaza Mai'n kya karu ?)*

*"❧ _ Aap ﷺ ne irshad farmaya - Agar mamla esa hi hai jis tarah tum kehte ho to Goya tum unhe garam Raakh khila rahe ho, jab tak tum Apni ye Sifat barqarar rakhoge, Allah ka ek farishta Tumhari madad karta rahega_," ( Sahih Muslim, 2558 v Musnad Ahmad -2/484)*

*"❧ _ is Hadees ka Matalab ye hai k har Chand tum Apne Rishtedaro ke Saath Ahsaan v Karam ka Sulook kar rahe ho aur neki, wafa v Murawwat aur Ahsan ke saath achchhe Bartaav ki vajah Se Goya unhe garam Raakh khila rahe ho, unhe unka bura Amal zaleel v Ruswa kar raha hai aur Tere liye Allah ka Ek farishta unki Takaleef aur Jahalat tujhse Musalsal door kar raha hai,*

     *®_Ref:- Misaali Aurat -113,*
       
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-52* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Khairun Nisaa Yani Sabse Achchhi, Misaali Khatoon banne ke liye laazim hai k Tum bura Sulook aur Qata Talluq karne wale Rishtedaro ke saath bhi Silah Rehmi karo, Is Husne Sulook se Tum Allah ki Bargaah me Mo'azziz Khawateen me Shumar ho jaogi _,"*

*❧"_ Hazrat Abdullah bin Amru bin Aas Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k Nabi Kareem ﷺ ne farmaya - barabar ki neki karne wala Haqeeqi Silah Rehmi karne wala nahi hai Balki Asli Silah Rehmi karne wala wo hai jo Talluq todne wale Azeezo Aqarib se Rishtedari jode,*

*❧"_ Imaam Tayyabi Reh. Farmate hai'n - is Hadees ka Matalab ye hai k Silah Rehmi ki Haqeeqat ye nahi hai k Silah Rehmi karne wala kisi ke nek Sulook ke jawab me uske Saath Nek Sulook kare, Dar Haqeeqat musawi Husne Sulook karne wala Aadmi hi nahi hai Balki Asal Aadmi to wo hai jo Sakhawat kare aur Fazal v Ahsaan se kaam le _," ( Jami'a Tirmizi -1908, Musnad Ahmad -2/163)*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -115,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-53* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_Khair Ke kaamo me Sabqat le Jane Wali Khatoon:-*
*❧"_ Wo Musalman Aurat Jo Sharf v Manzilat aur Khairun Nisaa ka martaba Haasil kar leti hai, Wo Dar Haqeeqat Esi Aurat hai Jo Har Qabil isteta'at nek kaam karti hai aur neki ke kaamo me doosro per Sabqat le jati hai _,"*

*❧"_ Qurane Kareem ne neki ke Daayre me ese A'amaal me muqabla karne ki Targeeb dilayi hai Jo Allah Ta'ala ki khushnudi tak pahu'nchate hai'n aur Jannat se Sarfaraz karte hai'n, iske bar Aks Agar muqabla faani Duniya ka maal v mat'a jama karne me ho to is qism ke muqable ki Qur'an Majeed aur Nabi Kareem ﷺ ne Shadeed mazammat ki hai,*

*❧"_ Meri Pyari islami Behno! Qur'an Majeed Tumhe nekukaar banane, neki ki jaza aur islami Ma'ashre per neki ke Asraat bata kar Husne Amal ki Dawat deta hai, Zara Allah Ta'ala ke is irshad per gor kijiye:-*
*"_ Aur Har ek ke liye ek Simt hai Jiski Taraf wo Moo'nh fairta hai, Lihaza tum Nekiyo'n me ek doosre se Aage badho _," (Surah Al Baqrah- 148)*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -117,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-54* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Qur'an Majeed ne Hume is Amr ki Targeeb dilayi hai aur Khair ki taraf poori Quwwat se Dawat di hai kyunki Zindgi Gair Mamoon hai aur Umr na maloom hai Jabki khaatma bahar haal laazmi hai, Jo kaam Aaj Tumhare Liye mumkin hai wo kal Tumhare liye Na mumkin ban Sakta hai, Aaj ( Duniya ) Amal ki jagah hai aur koi Hisaab Kitaab nahi hai jabki kal ( Aakhirat me) Sirf Hisaab hoga aur Amal karne ka koi imkaan nahi hoga _,"*

*❧"_ Bhala'i Ke kaamo me jaldi karna aur usme Sabqat le jana, Un Asbaab me se hai Jinke Zariye Allah Ta'ala ne Zakariya Alaihissalam ke Ahwaal theek kar diye aur inhi Asbaab ki badolat unke liye unki Zoja Mohatrama ki islaah ki aur unki Dua qubool farmayi,*,

*❧"_ Meri Momina Behno! Jab Fursat aur moqa se Fayda na uthaya jaye to wo Hasrat Nadamat ka baa'is ban jata hai, mumkin hai Aaj Tumhare Haatho me kuchh Asbaab mojood ho'n lekin wo kal mayassar na aa sake, Pas Jaldi karo, Aaj aur abhi Neki ki fasal boni shuru kar do taki kal Fursat Bakhsh fasal kaat sako, Haq ye hai k Kal per nazar rakhne wale ke liye kal bahut qareeb hai,*

*❧"_ Ek Daana Shayar kehta hai :- Har lamhe aur Har Waqt Neki ke moqe muhayya nahi hote Lihaza jo nahi moqa mile nek kaam karne me jaldi karo, Mubada nek kaam na mumkin ho jaye _,"* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -118,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-55* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Meri islami Behno! Kya Allah Ta'ala ki Bargaah E Aali se Apni Raah me kharch karne, Gussa pi jane aur Logo'n ko maaf kar dene walo ki Tareef, Neki ke Kaamo me aage badne ki Dawat nahi hai ? Kya Allah Ta'ala ki jaanib se magfirat v Bakhshish ke Husool ke liye foran koshish karne ka hukm, khair aur Bhala'i ke Umoor me Sabqat karne ki Takeed nahi hai ? Aur kya jannat me dakhila nek kaamo me musabqat karne per moqoof nahi hai ?*

*❧"_ Khair aur Bhala'i ke kaam me Shumar hai'n Jinme Musalman Aurat ko Sabqat le Jane ki Tamaana Damangeer hoti hai, Maslan - Dukhi Musalsal Aurto'n ke Dukh door karna, Khair me musabqat hai, Gareeb Musalman Aurto'n ke qarz Ada karna, Bhala'i me musabqat hai, Khana khilana aur Bhooko ki bhook mitana, khair me muqabla karna hai,*

*❧"_ Musalman Behno ki Zaruriyaat poori karne me jaldi karna bhi khair me musabqat hai, Gussa pi Jana aur Achchhe Akhlaaq Apnana bhi Neki me musabqat hai, Qur'an Majeed Hifz karna aur uski Tilawat karna bhi Khair me musabqat hai, Allah Ta'ala ka zikr aur uski Tasbeeh bayan karna bhi Bhala'i ke kaamo me musabqat hai,*

*❧"_ Neki ke kaam batana bhi kaare Khair me pesh qadmi hai, Taalibe ilm ko ilm Sikhana aur khud Seekhna bhi neki me aage badhna hai, Salam failana aur Silah Rehmi karna bhi Neki me musabqat hai, Raat ko Namaz padhna jabki log Soye hue ho'n, Sunnato aur Nawafil ki pabandi karna bhi khair me musabqat karna hai,*

*❧"_ Neki ke kaam beshumar aur uske Tareeqe Mutaddid hai'n, Tumhe Hamesha aur Har haal me nek Amal karna chahiye, maut aane se pehle neki ke kaamo me jaldi karni chahiye aur khair v Bhala'i ke kaamo me Sabqat le Jane Wali Aurat, Allah Ta'ala ke nazdeek Khairun Nisaa Yani Behatreen Aurat me se ek hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -120,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-56* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ _Duniya me Zahida aur Aakhirat Ki Talabgaar Aurat :-*
*"_ Wo Aurat Jo Duniya ki Un Tamaam bekaar baato se Kinara kar le Jo Use Aakhirat me koi Fayda na de'n aur Allah Ke Yaha'n Ajro Sawab per qalbi Aitmaad rakhe, Bas isi ka naam Zuhad aur is Khatoon Ka Tosifi Naam Zahida hai_,"*

*❧"_ Ye Zaruri nahi k Zahida Aurat Faqeer ya Miskeena hi ho balki Wo Maaldaar bhi ho Sakti hai Kyu'nki Aurat Ka kisi Cheez ka Maalik hone Ke Bavjood isse beniyaz rehna Yaqinan Zuhad hai, Zuhad ke ma'ani ye nahi k Tum kisi Cheez ke Maalik na ho balki Fil Haqeeqat Zuhad ye hai k koi Cheez Tumhari zaat ki Maalik na ho ( Wo Tum per galba aur Tasallut haasil na kare)*

*❧"_ Allah Ta'ala ke is irshad per gor kijiye, Tum per Zuhad ki Haqeeqat khul jayegi :-*
*"_( Tarjuma Surah Al Qasas -28:77)_ Aur Jo kuchh Allah ne tujhe diya hai, Usse Aakhirat ka ghar Talash kar aur Duniya me bhi Apna hissa mat bhool aur ( Logo'n se ) is Tarah Ahsaan kar jese Allah Ta'ala ne tum per Ahsaan kiya hai aur Zameen me Fasaad na kar _,"*

*❧"_ Nabi Kareem ﷺ Saari Makhlooq se badh kar Zaahid they maga iske Bavjood Aap Haasil Shuda Ni'amat Thukrate na mafqood ( Jo Haasil nahi ) cheez ke liye koi takalluf karte they, Jo Libaas Mayassar hota Pehan lete aur Zuhad v ibaadat ke naam per Logo'n se Alag Thalag hone wale ko Sakhti se daa'nt te aur na pasand farmate they _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -122,*
   
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-57* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Salfe Saleheen, Taaba'in aur Digar Buzurgo ke Beshumar irshadaat se Zuhad aur Zahido ki Sifaat v Khususiyat bilkul Waaze hai, Aao Zara gor v Fikr se inka Jaayza le'n:-*

*❧"_ Imaam Hasan Basri Reh. Se kuchh Logo'n ne kaha - Zuhad to Libaas me hai ( Aadmi Qeemti Libaas na pehne balki Saada Kapde pehan kar rahe ) baaz Afraad ne kaha k Zuhad khane pine me hai, Kuchh aur log bole k Zuhad fala'n Fala'n cheez me hai, Is per Hazrat Hasan Basri Reh. ne farmaya - Tumne koi kaam ki baat nahi ki, Zaahid to wo hai Jo kisi ko dekh kar kahe k ye mujhse Afzal aur Behtar hai,*

*❧"_ Is Tareef se Zaahir hota hai k Zaahid se Muraad Mutawaze hona hai, Yani esa Fard jo Logo'n ke Saamne Apne Aapko Kamtar aur unko Apne se behtar Samjhe _,"*

*❧"_ Hazrat Umar bin Abdul Azeez Reh. ne imaam Hasan Basri Reh. Ko khat likha k mujhe Mukhtasar Nasihat kijiye - Hazrat Hasan Basri Reh. ne jawaban likha, Teri islah karne wala Duniya me Zuhad hai, Zuhad ka Daromadaar Yaqeen per hai, Yaqeen gor v Fikr se Haasil hota hai aur gor v Fikr ibrat Aamozi per moqoof hai, Jab Tum Gor v Fikr karoge to Duniya tumhe is qabil nahi milegi k tum Uski Khaatir Apni Jaan becho balki uski Hiqarat ki vajah se Tum use is qabil Samjhoge k Tum use Napasand karo Kyu'nki Duniya Aazma'ish ka ghar hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -122,*
    
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-58* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ _Allah Ta'ala ka irshad hai, ( Aale Imraan-14-15):-*
*❧"_ Logo'n Ke Liye Khwahishate Nafs Ki Muhabbat muzayyan kar di gayi, Yani Aurto'n se, Beto se, Sone aur Chaa'ndi Ke jama Kiye hue dhero se, Nishan lage ( umda ) Ghodo se, Maveahiyo aur khaiti hai, Ye Sab Duniyavi Zindgi ka Samaan hai aur Achchha thikana Allah hi ke paas hai, Keh dijiye : kya Mai'n Tumhe inse behtar cheez batau'n? Parhezgaro ke liye unke Rab ke paas bagaat hai'n Jinke niche Nehre behti hai'n, Wo unme Hamesha rahenge aur waha'n unke liye Pakiza Biviya'n ho'ngi aur unhe Allah ki Raza Haasil hogi aur Allah Apne Bando per Khoob nazar rakhne wala hai _,"*

*"❧_ Khoob jaan lo k Agar Tumne Duniya ki Hirs ki aur Aakhirat ko bhula Diya to Allah Ta'ala Anqareeb tumhe Duniya me Tumhari chaahat ki cheez ata kar dega magar Aakhirat me Tumhara koi hissa nahi hoga, Apne Azeem Parwardigaar Ka Ye Farman Suniye ( Bani isra’iyl,- 18-20):-*

*❧"_ Jo koi Jaldi Wali Cheez ( Duniya) chahe To hum isi Duniya me jiske liye Chahe'n Jis Qadar Chahe'n jald ata kar dete hai'n, Fir hum uske Liye Jahannam Thehra dete hai'n, Jisme wo Mazmoom aur Dhutkari hui haalat me dakhil hoga, aur Jo Aakhirat Chahe aur uske Liye poori Koshish kare Jabki wo Momin ho to yahi log hai'n Jinki Sa'i qabile qadar hai, Hum har ek ko Aapke Rab ki ata se nawazte hai'n, Unko bhi aur unko bhi aur Tere Rab ki ata ( kisi se ) Roki hui nahi _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -126,*
     
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-59* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_ Meri islami Behno! Tumhare Liye Zuhad ka Haqeeqi Matlab yahi hai k Tum kisi se bhi kuchh na maa'ngo, Khwah wo Tumhara Khawind ho ya Waalid bilkhusoos is Soorat jabki wo Takleef aur Mashakkat uthaye bager kuchh dene ki Taaqat na rakhta ho,*

*❧"_ Meri islami Behno! Tumhara Zuhad yahi hai k tum Duniya ko Apna Maqsade Hayaat na banao balki Duniya to Dar Haqeeqat Aakhirat hi ke Husool ka ek Zariya hai, Tumhare Zuhad ka ek Taqaza ye bhi hai k Tum un Aurto'n me Shamil hone se gurez Karo jinhe Allah ki Ni'amato ne Faqeer v Mohtaaj Musalman Aurto'n se Gaafil kar diya hai,*

*"❧_ Ummul Momineen Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ka haal dekho k Wo kesi Zahida thi'n? Hazrat Muawiya bin Sufiyan Raziyallahu Anhu ne Apne Daure Hukmrani me Ayesha Raziyallahu Anha ki khidmat me 80 Hazaar Dirham bheje, Wo Roze se thi'n aur unke Kapde bhi khaase purane they magar Unhone ye badi Raqam us waqt fuqra aur Masakeen me Taqseem kar di aur kuchh bhi bacha kar na rakha,*

*"❧_ Unki Khadima ne kaha- Ey Ummul Momineen! Aapne do dirham ka gosht bhi na kharida k Aap usse Roza Aftaar kar leti, Unhone farmaya - Pyari Beti ! Agar pehle yaad dilati to Mai'n khareed leti ( Ab to kuchh bacha hi nahi ),*

*"❧_ Meri Musalman Behno! Gor kijiye, Ummul Momineen Roze se thi'n, Lazeez khane ki Haajat bhi thi magar Unhone kisi Tarah Zaati zarurat ko bhula Diya aur Fuqra aur Masakeen ki Zaruriyaat poori karne per Saari Raqam Sarf kar di _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -127,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-60* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ka ye Amal Sirf Fuqra v Masakeen ko yaad rakhne, Unke Dilo ko khushi se mamoor karne aur Allah se magfirat ke Husool ki koshish ki vajah se tha Kyu'nki Unhone Rasulallah ﷺ ko farmate hue suna tha :-*

*❧"_ Allah ko Sabse mehboob wo Shakhs hai Jo Logo'n ko zyada nafa pahu'nchane wala ho aur Allah ko mehboob tareen Amal, momin ko khushi muhayya karna, uska Dukh dard door karna ya uska Qarz Ada karna ya uski bhook mitana hai, aur mujhe Apne Bhai ki zarurat ke liye uske Saath chalna masjid me do maah ke Aitkaaf se zyada mehboob hai aur Jo koi musalman Apne Bhai ki zarurat ke liye uske saath chala Yaha'n tak k uski zarurat poori ho jaye to Allah Ta'ala uske qadmo ko saabit rakhega jis Din Logo'n ke qadam fisal rahe ho'nge _," ( Qaza Al Hawa'ij ibne Abid Duniya-36)*

*❧"_ Allah Ki Qasam ! Zahida ka kaam Apni zaat per doosri Musalman Aurto'n ko Tarjeeh deta hai, Wo khudgarzi se kaam nahi leti aur na Apne Aap per fakhr v Guroor se itrati hai'n Jesa k Aaj kal ki Aurte'n kar rahi hai'n, Meri Musalman Behno! Aao Apna Zaa'id maal kapde aur khana Mohtaaj v Zaruratmand Musalman Aurto'n ko sadqa de do,*

*❧"_ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu farmate hai'n:- Duniya ko Qayamat wale Din Syaah v Safed bikhre baalo aur nili Aa'nkho wali budhiya ke Roop me Nihayat bad Shakl bana kar laya jayega, Uske Daa'nt bahar nikle ho'nge, Wo Logo'n ko jhaa'nk kar dekhegi to kaha jayega : kya tum ise jaante ho ? Sab log kahenge: hum uski ma'arfat se Allah ki panah maa'ngte hai'n, to kaha jayega: yahi wo Duniya hai jiske liye tumne Aapas me qatl v Gaarat ki, Qata Rehmi ki, iske Husool ke liye tumne Aapas me Bugz aur Hasad rakha aur Tum dhoke me pade rahe, fir use Jahannam me Fai'nk diya jayega to wo pukar kar kahegi : Ey mere Rab ! Mere Perukaar aur Saathi Kaha'n hai'n ? Allah Ta'ala farmayega : iske Perukaaro aur Saathiyo ko bhi iske Saath Mila do _," ( Zuhad ibne Aarabi-46)*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -128,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-61* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Mamlaat me Mutahammil Mizaaj Aurat ( Bardasht Karne Wali Aurat ):-*
*❧"_ Behatreen Aurat Apne Aqwaal aur Afwaal ( Kathni aur Karni ) aur Jumla Mamlaat me Burdbaar aur Mutahammil Mizaaj (Bardasht karne wali) hoti hai'n, aur Ye koi Anokhi baat nahi hai Kyu'nki Burdbaari aur Tahammul Tamaam Faza'il me buland tareen darja rakhti hai, Burdbaari Nihayat Pakiza aur Qabile Tareef Sifaat me se hai, is khoobi ke Zariye se Allah Ta'ala ne insaan ko Haiwanaat se Mumtaz kiya hai _,"*

*"❧_ Meri Musalman Behno! Is Zamane me log Maaddi Zindgi ki Daud me lage hue hai'n aur Rabbani Talimaat chhod chuke hai'n, isliye mojooda daur me Nihayat khatarnak Bimariya'n aur Bahut si Wabae'n fail gayi hai'n Jo Guzishta Zamane me bilkul nahi thi'n, In Bimariyo me ek Akhlaqi Bimaari bhi hai, yani Gusse me aana aur Apne Maamle ko Danishmandi aur itminaan se Control na karna,*

*"❧_ Kitne hi ghar gusse ki vajah se ujad gaye, Kitni hi Aurte'n mahaz Khawind ke gusse ki bina per bager kisi Gunaah ke Talaaq Yaafta ho jati Hai'n, Kitne hi log hai'n Jo Gusse ki vajah se Aqal se khaali aur bekaar ho jate hai'n aur kitni Aulaade hai'n Jo gazab ki bina per gharo se nikaal kar Awaara bana di jati hai'n,*

*"❧_ Magar Behatreen Aurat Burdbaari ki Fazilat khoob jaanti hai, is khoobi se Apni Shakhsiyat ko Araasta karti hai, iske mutabiq Amal karti hai, is Sifaat ki bina per use Duniya me Logo'n ki Tareef Naseeb hoti hai aur Aakhirat me use Apne Rab ki taraf se Tareef v Toseef haasil hogi _,"* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -129,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-62* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Meri Musalman Behno! Jab Momina Aurat Gusse aur Gazab ke moqe per Burdbaari ka Muzahira karti hai to Sab Logo'n ko ilm ho jata hai k Wo kis Qadar Aqalmand hai, isiliye jab Musalman Aurat Logo'n ke Saamne gusse ke waqt Burdbaari ka Muzahira nahi karti to wo use majnoon aur Kam Aqal qaraar dete hai'n _,"*

*❧"_ Burdbaari ke Faza'il v Samraat me Gunaho se bachna aur Gandi aur Buri Jagaho per jane se Parhez karna bhi Shamil hai'n, Burdbaari ka ek bada Fayda ye bhi hai k Tumhe Ahle Khair ki Muhabbat v Mu'awnat haasil hogi jabki fahisha, Bad Zubaan aur Fajira sirf Bad Duae'n hi haasil karegi aur log usse door ho jayenge aur koi bhi uske qareeb nahi fatkega,*

*❧"_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Burdbaar Shakhs ko Apni Burdbaari ka Pehla Fayda ye hota hai k Tamaam Log Jaahil ke khilaaf uske Madadgaar ban jate hai'n _,"*

*❧"_ Burdbaari ki ek bahut badi Fazilat ye hai k Allah Ta'ala aur uske Rasool ﷺ Burdbaaro ko pasand karte hai'n, Rasulullah ﷺ ne Abdul Qais Qabile ke ek Shakhs se farmaya tha- Beshak Teri Do Khoobiyo'n ko Allah aur uske Rasool pasand karte hai'n, Burdbaari aur Waqaar v Sanjeedgi _,"*
*"_( Sahi Muslim - 18, Jami'a Tirmizi -2011)* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -132,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-63* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ _Doosro Ki Zarurat Poori Karne Wali Aurat:-*
*❧"_ Daure Haajir me Nafsa Nafsi ki vajah se har jagah "Mai'n Mai'n" ki Awaaz goonj rahi hai jabki Behatreen Aurat wo hai jo Doosre Musalman Behan Bhaiyo'n ke mufadaat aur Zaruriyaat poori karne ki bharpoor koshish karti hai, Logo'n ki Hajaat v Zaruriyaat poori karne se la muhala ata v Bakhshish ki Raah khulti hai aur Ahle islam ke mabeen Ta'awun aur Bahami Zimmedariyo ka ahsaas Mazboot hota hai,*

*"❧_ Meri Musalman Behno! Jab Tum Apni Musalman Behno ki Haajat v Zaruriyaat poori karne ki koshish karogi aur Tumhara Maqsad Sirf Allah Ta'ala ki Raza, Sawab ka Husool aur Behno ka Dil khush karna hoga to Tum Allah ki magfirat aur Rehmat ke bahut qareeb ho ja'ogi _,"*

*❧"_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Nabi Kareem ﷺ se Rivayat karte hai'n k Aap ﷺ ne farmaya - Jisne Kisi Momin ki Duniyavi musibato me se koi musibat door ki, Allah Ta'ala Qayamat ke Din ki Takaleef me se uski Takaleef aur Musibat door kar dega.. aur Allah us Waqt tak Bande ki madad karta rehta hai Jab Tak Wo Apne Bhai ki madad karta rehta hai _,"*
*"®_( Sahi Muslim -2899, Jami'a Tirmizi -1930)*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -139,*
       
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-64* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Imaam Hasan Basri Reh. Farmate hai'n:- Mujhe Hajatmand Musalmano ki koi zarurat poori karna ek hazaar Raka'at Namaz padhne se zyada mehboob hai aur Kisi Bhai ki Haajat Rawa'i mujhe Do maah ke Aitkaaf se zyada Pasandida hai _,"*

*❧"_ Imaam ibne Hijaan Reh. Farmate hai'n:- Zarurat mando ki Haajate poori karne ka Adna Tareen fayda ye hai k Khidmat Guzaar Shakhs Logo'n ki Tareef ka Mustahiq ban jata hai aur Bhai Zaruriyaat Ke Waqt hi pehchane jate hai'n, Jis Tarah ghar wale Faqro Faaqe me Aazmaye jate hai'n Kyu'nki Khush haali me to har koi dost hota hai aur Badtareen Bhai wo hai Jo Kade Waqt aur Zarurat ki ghadi me Saath chhod jaye _,"*

*❧"_ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu farmate hai'n:- Kisi Musalman Gharane ki Ek maah, Ek Hafta ya Jitni der Allah chahe Kifalat karna aur unki Zaruriyaat poori karna Mujhe pe dar pe Hajj karne se Zyada Mehboob hai, Apne Deeni Bhai ko Ek dirham bhari plate ka Tohfa pesh karna mujhe Allah ki Raah me Dinaar kharch karne se zyada mehboob hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -140,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-65* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_ Meri Pyari islami Behno! Hamare Salfe Saleheen ne Zarurat mando ki imdaad ki Ahmiyat v Fazilat ko khoob samjha aur iska behad Ahatmam kiya hai, is Silsile me darje Zel Shandaar Misalo ka mutal'a kar ke un per Dilo Jaan se Amal kare,*

*"❧_ Janab Muhammad bin ishaq Bashana Bayan karte hai'n k Madina Munawwara me kuchh log rehte they lekin unhe ye pata nahi tha k unhe Zaruriyaat zindgi Kaha'n se mil rahi hai'n aur kon Faraham kar raha hai ? Jab Hazrat Zainul Aabedeen bin Husain Reh. Faut ho gaye to unhe wo Samane Zindgi milna band ho gaya, Tab unhe maloom hua k Hazrat Zainul Aabedeen Reh. unhe Raat ke Waqt unki Zaruriyaat pahu'nchaya karte they, Jab Unhone unki Wafaat ke baad unhe Gusl diya to unki kamar aur kandho per Bewaa'o aur Yateemo ke ghar Sazo Samaan ke Thele utha kar le Jane ke Nishanaat pade hue they_,"*

*"❧_ Meri Musalman Behno! gor kijiye, Ye Nabuwat Ke Gharane ka Chashmo Chiraag kin Logo'n ki Zaruriyaat poori karne ki Mashakkat karta tha ? Masakeen, Bewaa'o aur Fuqra Ke Liye wo kitni Zehmat uthata tha, Unki Saari Talab aur Tadap ye thi k Bewaa'o, Yateemo aur Miskeeno ke Dil khushi se bhar jaye'n _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -141,*
    
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-66* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Allah Ta'ala Se Sachchi Tauba karne Wali :-*
*❧"_ Tauba Jaama Lafz bahut se Umoor ki Taraf ishara karta hai, isme Galtiyo'n aur Khatao'n se bachaav ki Talab hai, isme gunah ka Ahsaas bhi hai aur Sharmshari se Aa'nsu bahana bhi aur ye Sab Umoor Allah Ta'ala ki taraf ruju karne ke Asraat hai'n, Taa'iba us Aurat ko kehte hai'n Jo Allah ki Taraf Tauba ke Saath mutavajja hoti hai Jabki "At Tawwab" Allah Ta'ala hai Jo Apni Zaate Aali per imaan lane walo ki tauba Qubool karta hai,*

*"❧_Meri Musalman Behno ! Tauba us khairun Nisa ki Sifaat me se ek Aham Sifat hai jo Apne Rab ka Raasta pehchan kar us per chalti hai aur Tauba Safare Aakhirat ke Liye Musalman Aurat ka Zaade Raah hai , Qayamat ke Din jo Aurat bhi kamyaab hogi wo Sachchi aur Pakki Tauba ki badaulat kamyaab hogi,*

*"❧_ Esi Tauba Jisme Gunaah ki Taraf dobara na paltne ka Pukhta Azm hoga, Zaaya ho jane Wali Umr per Sharmshari hogi aur Apni islaah ka Pakka iraada hoga, Sachchi aur Pakki Tauba Wo mata hai Jo Musalman Aurat ki maut tak uske Saath Saath rehti hai, is tarah Goya Tauba Musalman Aurat ki ibtida bhi hai aur uski inteha bhi !*

*"❧_ Tauba Chand Zubani Kalami Alfaaz ka naam nahi hai Jinhe Tum Apni Zubaan se Ada kar lo aur unhe baar baar dohara lo balki Tauba Chand Mazboot Umoor se ibaarat hai :- (1) Musalman Aurat galti aur Gunaah per Sharmindgi mehsoos kare, (2)_ Gunaho ko Ek dam chhod de aur unse Mukammal ijtinab kare, ( 3)_ Dobara Kabhi kabhi koi Sagira ya Kabira Gunaah na karne ka Pukhta Azm kare, Gunaah chhod kar Nek A'amaal karne lage Hattaki Tauba ke baad uski Haalat pehle se Afzal aur Behtar ho jaye,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -145,*
       
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-67* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ _Ahle Arab se manqool hai k Jald baazi Shaitaan ka kaam hai, Albatta in 5 Baato me Jaldi karni chahiye:-*
*(1)_ Tauba me jab Gunaah kar betho,*
*(2)_ Jab Mehman aa jaye to use khana khilane me,*
*(3)_ Mayyat ki Tajheez v Takfeen me,*
*(4)_ Bachchi Jawan ho jaye to uski Shaadi karne me,*
*(5)_ Qarz ki Adaygi me Jaldi Karna jabki uski Muddat poori ho jaye,*

*❧"_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k Rasulallah ﷺ ne irshad farmaya- Allah Ki Qasam ! Beshak Mai'n ek din me Sattar se Zaa'id baar Allah se Bakhshish maangta hu'n aur Tauba karta hu'n_," ( Sahi Bukhari- Hadees 6307)*

*❧"_ Hazrat Agar bin Yasaar Raziyallahu Anhu Rivayat karte hai'n k Rasulullah ﷺ ne farmaya - Ey Logo'n! Allah se Tauba karo aur usse Bakhshish Talab karo, Beshak Mai'n Ek Din me So (100) martaba Tauba karta hu'n _," ( Sahi Muslim, Hadees 2702)*

*❧"_ Ey meri Musalman Behno! Zara gor kijiye, Ye Hamare Masoom Rasool ﷺ hai'n Jinke Agle pichhle Tamaam Gunaah maaf hai'n, iske Bavjood wo Apne Rab se ek Din me 100 martaba Bakhshish talab karte aur Tauba karte hai'n, Nabi ﷺ ka ye Amal Mubarak hume Tauba me Jaldi karne ka Ahsaas dilane ke liye hai_,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -146,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-68* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Zaniya Aurat Ki Tauba :-*
*❧"_ Hazrat Imran bin Husain Raziyallahu Anhu ye Rivayat karte hai'n k Rasulullah ﷺ ke Paas Jamhina Qabile ki Ek Aurat aayi, Jo Zina ki Vajah se Haamla thi, Usne iltija ki - Ey Allah ke Rasool ! Maine Sangeen Gunaah ka irtikaab kiya hai, Lihaza Mujh per Had qaa'im farmaye'n _,"*

*❧"_ Nabi Kareem ﷺ ne uske Waaris ko bulaya aur farmaya - Iske Saath Achchha Sulook karo, Jab Ye Bachche Ko Janam de Chuke to mere Paas le aana, Usne Hukm ki Tameel ki, Jab Bachcha paida ho gaya to wo use le kar Haazir hua, Fir Nabi Kareem ﷺ ke hukm per us Aurat ke Kapde Achchhi tarah baa'ndh diye gaye ( Taaki uska Satar ne khulne paye ) fir Aap ﷺ ke Hukm se use Rajam kar diya gaya _,"*

*❧"_ Fir Aap ﷺ ne uski Namaz Janaza padhayi, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne arz kiya- Ey Allah ke Rasool ! Aap iski Namaz padhayenge ? Hala'nki usne Zina kiya tha ? To Nabi Kareem ﷺ ne farmaya- Usne Esi Shandaar Tauba ki hai k Agar Madina Munawwara ke Sattar ( Gunahgaro ) me Taqseem kar di jaye to Sabko kaafi ho jayegi, Kya tumne isse afzal Tauba dekhi hai k usne Allah ki Khaatir Apni Jaan tak Qurban kar di hai _,"*

*❧"_ Meri Musalman Behno ! Sachchi Tauba ki Jaza per gor kijiye, Ye Sirf isliye hai Kyu'nki ye Musalman Aurat ko Qurbani dene ke liye Zabardast Tayyari per Aamada karti hai taaki wo Gunaaho aur Khatao'n se Paak ho jaye _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -153,*
     
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-69* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Khaalis Tauba Aala Tareen ibadaat me se hai, iski Badaulat Musalman Aurat Apne Rab ka Taqrrub Haasil karti hai aur Use Wo Muqaam haasil hota hai Jo kisi aur ibaadat se Hassil nahi hota, Usme Aajiza inksaar aur Allah ke liye Khushu v Khuzu paya jata hai, Khaalis Tauba ka Sabse bada Fayda Musalman Aurat ko ye hota hai k usse Sarzad hone wale Gunaah Nekiyo'n me badal diye jate hai'n _,"*

*"❧_ Allah Ta'ala ke is Farman per Gor kijiye:- "( Tarjuma) Magar Jisne Tauba ki aur Wo imaan laya aur usne Nek Amal kiye to Yahi log hai'n Jinke Gunaah Allah Nekiyo'n me badal dega, aur Allah bahut Bakhshne wala, bada Raham farmane wala hai_," ( Surah Furqan:25:70)*

*"❧_ Ye Aayat Muqaddasa Naadim hone aur Sachchi Tauba karne wali Aurto'n Ke Liye bahut badi Khush khabri hai, Azeemul Murattab Taba'i Hazrat Saied bin Musayyib Reh. Farmate hai'n:- Allah Ta'ala Qayamat ke Din Unke Tamaam Gunaah Nekiyo'n me badal dega, Yani Unhe Har Gunaah ki jagah Ek Neki dega _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -153,*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-70* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Lekin Jab Aksar Musalman Aurto'n ka haal dekha jata hai to bada Afsos hota hai, Beshumar Khawateen Apni Umre Azeez Gaflat ki Nazar kar deti hai'n, Wo Taveel Umr guzaar kar hi Allah ke Huzoor Tauba karti hai'n, Haalat ye hai k bahut si Musalman Behne Namaz nahi padhti, Roze bhi nahi rakhti, Aksar Khawateen Parda bhi nahi karti, To jab in baato per Toka jaye aur Allah Ta'ala ke Ahkaam ki Pabandi karne ki Nasihat ki jaye to Aksar Behne ye kehti hai'n k Abhi to hum bahut Chhoti hai'n, Abhi hamari Umar hi kya hai , Tauba ke liye abhi badi Umar padi hai, Lihaza Tauba v istagfaar ke liye itni jaldi ki kya zarurat hai?*

*❧_Esi Khwateen ye nahi Samajhti K Zindgi na payadaar aur na qabile Aitmaad hai, Ho sakta hai wo Apni ummeed ke mutabiq Umr na pa sake, Tauba gale me Saa'ns nikalne Tak ho sakti hai lekin umda Sahat ki haalat me Tauba Karna jabki abhi zindgi ki ummeed baqi ho, us Maali sadqe ki tarah hai Jo Tandurasti ki haalat me kiya jaye, Maut ke waqt Tauba Kane ki misaal us Maali Sadqe jesi hai Jo maut ke qareeb kiya jaye,*

*❧_ Yani Bimaari me Tauba karne wala jab Apni Saari Sahat aur Quwwat Apne nafs ki khwahishaat aur Duniyavi Lazzato per kharch kar leta hai, Fir jab wo Apni zindgi se mayoos ho jata hai to Tauba karne lagta hai aur Gunaah tark kar deta hai, Us Shakhs ki tauba ka Us Aadmi ki Tauba se kya muqabla jisne ain jawani me us waqt Tauba kar li ho Jabki Gunaho ki Quwwat poori tarah baqi thi, Lekin usne Apne Rab ke khof aur Sawab ki ummeed per bure kaam chhod diye,*

     *®_Ref:- Misaali Aurat -154,*

         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-71* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Meri Musalman Behno! Ab ibrat ke liye Chand Esi Bad Qismat Aurto'n ke Aalame Naza ki baate Sune Jinhone Apni Umr Gunaho me aur Shehwaat me Zaaya kar di thi, Wo Duniya se Rukhsat hote waqt bahut Pareshan thi'n _,"*

*❧"_ Unme se ek Apna Chehra Peet rahi thi aur keh Rahi thi: Haay Afsos! Maine Allah ki Ita'at v Farmabardari aur Uske Huqooq ki Adaaygi me kis qadar Kotaahi ki _,"*
*"_ Doosri Aurat mayoosi aur Hasrat se Ro rahi thi aur Keh rahi thi: Duniya meri zindgi se khailti rahi aur Mujhse Mazaaq karti rahi Hattaki meri Umr khatm ho gayi _,"*

*❧"_ Teesri Khatoon ne jab Uski Saa'ns ki Dor kat Rahi thi ye Aakhri Alfaaz kahe : meri Behno ! Tumhara bhala ho Apni Jawani se Dhoka na khana, Tumhe Duniya ki Zaibo Zeenat kabhi Dhoke me na daale jis tarah usne mujhe Dhoke me daale rakha _,"*

*"❧_ Allah Ta'ala ka Farman hai :- Aur Tum Apne Rab ki taraf Ruju karo aur uske Farmabardar ho jao, isse pehle k Tum per Azaab aa jaye, Fir Tumhari madad nahi ki jaayegi aur Tum us Behatreen cheez ki pervi Karo jo Tumhare Rab ki taraf se Tumhari taraf Naazil ki gayi hai, isse pehle k Tum per Achanak Azaab aa jaye aur Tumhe uski khabar tak na ho, ( Esa na ho ) k koi Shakhs kahe- Haay Afsos! Us per jo Maine Allah ki Ita'at karne ke Haq me Kotaahi ki aur bila Shubha Mai'n Mazaaq udane Walo me Shamil raha ya Wo kahe: Beshak Agar Allah mujhe Hidayat deta to Mai'n zaroor Muttaqiyo me se ho jata ya Wo jis waqt Azaab dekhe to ye kahe : kaash ! Mai'n ek baar Waapas duniya me ja Saku'n To neku kaaro me se ho jau'n _," ( Surah Az Zumar - 54-58)*

*"❧_ Beshak Khairun Nisaa wohi Aurat hai Jo Din Raat, Khufiya Elaaniya Apne Rab ke Huzoor Tauba karti hai aur Apne Gunaaho per Roti hai Agarche wo chhote hi ho'n, Wo Apne Rab ki ita'at me Aajizi aur inksaar ki zindgi basar karti hai aur Aakhirat me Kamyaab ho jati hai, Uska Rab use Azeemus Shan jannat me dakhil kar deta hai, Jiske Mewe qareeb, Nehre Jaari aur takht bichhe hue ho'nge, Usme Esi Ni'amate hai'n Jo na kisi Aa'nkh ne dekhi hai'n na kisi kaam ne suni hai'n aur na Kisi Bashar ke Dil me unka koi khayal guzra hai _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -155,*
      
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-72* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_Allah aur Uske Rasool Ki Taraf Bulane Wali :-*
*❧"_ Behatreen Aurat Tamaam Musalman Aurto'n ko Hamesha wo Noore Hidayat Pahu'nchati rehti hai Jo Unke Seeno ko Haq ke Liye khol deta hai aur unke Mamlaat Asaan bana deta hai aur Wo Ye Kaam Khawateen ko Sirf Allah ki Taraf Bulane ke Liye karti hai _,"*

*❧"_ Meri Pyari islami Behno! "Khairun Nisaa" ki Sifaat me ek khoobi ye bhi hai k Wo Apni Behno ki Qur'an v Sunnat ki taraf rehbari karti hai Jisme Qayamat ke Din ke Azaab se Unki Nijaat hai, Jo Aurat "Khairun Nisaa" ka Rutba pana chahti hai uske liye zaroori hai k Wo Sabse Pehle Apne ghar walo ki islaah ke liye unhe Namaz qaa'im karne, Zakaat dene, Neki ka Hukm karne aur Burayi se rokne jese islami Sha'aar v Adaab ki Dawat de_,"*

*❧"_ Uski Ye Dawat Allah Ta'ala ke is Hukm ki Tameel hogi Jo usne har Musalman Mard v Aurat ko Apni jaan aur Apne ghar walo ko Aag se Bachane ke liye diya hai, Allah Ta'ala ke is Farman per Achchhi tarah gor kijiye:-*
*❧"_ Ey imaan walo! Tum khud ko aur Apne ghar Walo ko us Aag se bachao jiska iydhan insaan aur patthar hai'n, Us per Tund Mizaaj aur Sakht geer Farishte ( muqarrar) hai'n, Allah unhe Jo hukm de, Wo uski Nafarmani nahi karte aur Wohi karte hai'n jiska Unhe Hukm diya jata hai _," (Al Tehreem -6)*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -156,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-73* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ _Hazrat Ali Raziyallahu Anhu is (Al- Tehreem- 6) Aayat ki Tafseer karte hue farmate hai'n:- Apne Aapko aur Ahlo Ayaal ko Khair Ke Kaam Sikhao aur unhe islami Adaab Sikhao taki tum Sab Jahannam se bach Sako _,"*

*"❧_ Meri Musalman Behno! Tumhare Khandaan ko Jannat me pahu'nchane me Tumhara bahut aham kirdaar hai, is Kirdaar se koi jaahil ya Kam Aqal hi inkaar karega, Tumhe Apne Walden ko Rehman ki ita'at v farmabardari me laga dena chahiye aur Allah ki ibadat Fara'iz ki Adaaygi aur Tamaam Mamlaat me Huququllah ki ma'arfat ke Silsile me unki madad karni chahiye,*

*"❧_ Apni Aulaad ko khaas tor per Allah ki Ita'at karne wala banao aur Allah Rabbul izzat ki khushnudi ke Husool per unhe kamar basta kar do,*

*"❧_ Meri Momina Behno! Allah Ta'ala ki taraf bulane ka matalab ye hai k tum Apni isteta'at ke mutabiq Musalman Aurto'n ko Deeni Masa'il aur Rasulullah ﷺ ki Seerat v Kirdaar aur Aap ﷺ ke irshadaat se Achchhi tarah Roshnash karao Kyu'nki Allah ki taraf bulana bahut badi ibaadat, jihaade Akbar aur Azeem muqam v martabe ki baat hai,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -157,*
     
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-74* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Tumhare Liye Ummul Momineen Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki Seerat Muqaddasa me Behatreen Uswah mojood hai Jinhone bahut se Shara'i Ahkaam yaad kiye aur Shara'i Adaab Seekhe, Yaha'n tak k kaha gaya hai : Shari'at ke Ek Chothayi Masa'il Aapse manqool hai'n, Aap Raziyallahu Anha bahut badi Faqiha aur bahut si Khawateen aur Bahut Se Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki Muallima thi'n _,"*

*❧"_ Hazrat Urwah bin Zuber Raziyallahu Anhu Farmate hai'n: Mai'n Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki khidmat me arsa daraz tak raha lekin Maine unse badh kar kisi ko Qurani Ayaat ka Aalim, Farz v Sunnat ka Muhafiz, Shair ka Parikh aur use bayan karne ka maahir, Arbo ki Jungo ka Aalim, Nasab Naame ka Haafiz, Faislo aur Tib v Hikmat ka Ramz Shanaas kisi ko nahi dekha,*

*❧"_ Maine unse puchha : khala Jaan ! Aapne Tib Kaha'n se seekha ? Unhone farmaya - Mai'n kabhi Bimaar hoti to meri liye Dua Tajveez ki jati ya Koi Shakhs Bimaar hota to uske Liye Dava batayi jati to Mai'n use Yaad kar leti thi aur Log jab Ek Doosre ko nuskhe batate to Mai'n unhe bhi yaad kar leti thi _,"*

*❧"_ Imaam Zahri Reh. Farmate hai'n: Tamaam Aurto'n ka ilm Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke ilm ke muqable me jama kiya jaye to Ayesha Raziyallahu Anha ka ilm sabse Afzal v A'ala hoga _,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -158,*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-75* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Sach Bolne aur Jhoot se Bachne Wali :-*
*"❧_ Khairun Nisaa Yani Behatreen Musalman Aurat ki Mumtaz Tareen Sifat ye hoti hai k Wo Sadaqat ki Pur Waqaar khoobi se Araasta hoti hai,*

*❧"_ Meri Pyari islami Behno! Allah Ta'ala ne Tumhe Sach Apnane aur iski Fazilat ka Husn v Jamaal Akhtyar karne Ki Ragbat dilayi hai aur Hisaab Wale Din Tumhe bahut bade Ajro Sawab ka Vaada farmaya hai_,"*
*❧"_ Allah Ta'ala ka irshad hai:-"_Ey imaan walo! Allah se daro aur Sachche Logo'n ke saath ho jao _," ( Surah Tauba - 119)*

*❧"_ Isi Tarah Allah Ta'ala ne Sach bolne Wali Khawateen ko us Jama'at me Shumar kiya hai Jiski Tareef ki gayi hai, Us Giroh me shamil kiya gaya hai jise Aakhirat me buland muqam ata farmaya jayega aur Wasi Rehmat v Magfirat se Nawaza jayega,*
*❧"_ irshad Hota hai :- Beshak Musalman Mard aur Musalman Aurate'n, Momin Mard aur Momin Aurte'n, Farma Bardaar Mard aur Farma Bardaar Aurte'n, Sachche Mard aur Sachchi Aurte'n, Sabr Karne wale Mard aur Sabr Karne Wali Aurte'n, Aajizi karne Wale Mard aur Aajizi Karne Wali Aurte'n, Sadqa dene wale Mard aur Sadqa dene wali Aurte'n, Rozedaar Mard aur Rozedaar Aurte'n, Apni Sharmgah ki Hifazat karne Wale Mard aur Hifazat karne wali Aurte'n aur Allah ka Ba Kasrat Zikr karne Wale Mard aur Zikr karne wali Aurte'n, is Sabke liye Allah ne magfirat aur Ajre Azeem Tayyar kar rakha hai _," ( Al Ahzaab-35:33)*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -160,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-76* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_ Jab Musalman Aurat Sach bolegi To use Sadiqa ke Naam se mosoom kiya jayega aur jab Wo har Waqt Sach bolti rahegi aur Hamesha Sachcha'i ki Raah Akhtyar karne ki koshish karegi to Wo Siddiqa ( intehayi Sachchi ) ban jayegi, Siddiqa use Kehte hai'n Jo Hamesha Sach bole aur Sadaqat ki Raah kabhi Tark na kare,*

*❧"_ Meri Musalman Behno! Tumhari ita'at guzari aur Farma Bardari me Sach usi Waqt Zaahir hoga Jab Tum Apni ita'at me Yaqeen aur Ahsaan ko Yaqeeni banao, Tumse Jin Fara'iz v Wajibaat ki Adaaygi ka mutalba kiya jata hai, Unme bhi Usi Waqt Sachcha'i hogi jab tum Fara'iz v Wajibaat ki mulhikaat aur Taabe Umoor me Kotahi nahi karogi, To iske Natije me Tum Sadiqa kehlaogi _,"*

*❧"_ Hazrat Ali bin Abu Taalib Raziyallahu Anhu farmate hai'n: Jo Logo'n ke Saath Teen Sulook kare, Logo'n per uske Teen Haq Waajib ho jate hai'n:-(1)_ Wo Shakhs jo unse baat cheet me Sach bole, (2)_ Jab Wo use Kisi Cheez ka Ameen banaye'n to Wo unse Khayanat na kare, ( 3) aur jab unse vaada kare to use poora kare,*

*"❧_ isi Tarah Logo'n per uske Teen Haq laazim ho jate hai'n, yani :-(1)_ Logo'n ke Dilo me uski muhabbat ka Jazba foot padta hai, (2)_ Unki Zubane uski Tareef v Toseef karti hai'n, (3)_ aur wo uski Madad v i'aanat karte hai'n _,"* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -163,*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-77* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Sach Ki Fazilat ye bhi hai k Sachcha'i Tumhe hamesha Halakato se bachayegi jabki Jhoot Halaak Kar dalega, Sach ki Fazilat ye bhi hai k Ye Duniya me Buland Martabe Ke Husool ke Yaqeeni Asbaab me se Aham Tareen Sabab hai, isiliye Ahle Makka ne Rasool Akram ﷺ ko Baisat se pehle hi "Saadiq v Ameen" ka Laqab de diya tha,*

*❧"_ Aur Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ne Wahi v Risalat ki ibtida hone per Aapko in Alfaaz me Tasalli di thi- Beshak Aap Sach bolte hai'n ( isliye Allah Ta'ala Aapka Saath dega ) jabki Aapki Qaum ne ye Aitraaf kiya tha Humne Aapse kabhi jhoot nahi Suna, Yani hum dekhte hai'n k Aapke Dushmano ne bhi Aapke Saadiq hone ki Gawahi di aur Aapke perukaar Aapki Sachcha'i ki Gawahi dete they _,"*

*❧"_ Ye Kitni Shandaar aur Azeem Gawahi hai ! Sach nek Logo'n ka Zever hai, Azaad Bando ki Zeenat hai aur Saleheen v Barguzida Bando ka Husn v Jamaal hai, Baaz Logo'n ne Luqman Hakeem se kaha: kya Aap fala Qabile ke Gulaam nahi hai'n ? Unhone kaha : kyu nahi, Mai'n usi Qabile se hu'n, Unse puchha gaya - To fir Aapko ye Buland Muqaam kese Mila ? Unhone farmaya - Allah Ke Dar, Sach bolne, Amanat Ada karne aur Layani Baato se ijtinab ki baa'is _,"*

*❧"_ Sach Ki Fazilat ye bhi hai k Ye Gandgi aur Burayi se Nijaat dilata hai, Jhoote ko uske Haal per chhod do, jhoot bolne se Goonga hona behtar hai _,"*
*❧"_ Jhoot ki Ek Nahusat ye hai k Log jhoote ka Aitbaar nahi karte Agarche Wo Apni baat me Sachcha ho _,"* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -164,*
       
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-78* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Allah Ta'ala Per Tawakkul Karne Wali :-*

*"❧_ Behatreen Musalman Aurat Apne Tamaam Mamlaat me sirf Allah Ta'ala per bharosa karti hai, Apne Saare kaam usi ke Supurd karti hai aur Dastyab Cheezo ke bajaye Allah Ta'ala ke Paas mojood Ni'amato per Mukammal Aitmaad rakhti hai,*

*❧"_ Meri Musalman Behno! Samajhdar aur Aqalmand Aurat ke Liye laazim hai k us Zaate Aali hi per Tawakkul kare jisne sabke Rizq ki zimmedari le rakhi hai Kyunki Tawakkul imaan ka Nihayat Aham Zaabta aur usool hai, Jo insaan ke Faqro Faaqa ko Door karne Ka Mo'assir sabab hai,*

*"❧_ Allah Ta'ala farmate hai'n:- ( Sachche) Momin Sirf wo log hai'n k Jab Allah ka Zikr kiya jaye to unke Dil Kaa'np uthte hai'n aur unke Rubaru uski Aayato ki Tilawat ki jaye to wo unka imaan badha deti hai'n aur Wo Apne Rab per Tawakkul karte hai'n _," ( Al Anfaal-2:8)*

*"❧_ Allah Ta'ala per Tumhara Aitmaad jis qadar Zyada aur bharpoor hoga, usi qadar Tum Qayamat ke Din ke Liye Apni Nekiyo'n ka Zakhira kar loge, Tumahara Aitmaad Allah per Rozana badhega Tumhari Nekiyo'n ka Zakhira bhi badhega, iske Natije me Tum Jurr'at Mandi se Shaitaan ka muqabla kar Sakoge,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -179,**
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-79* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_Kitni hi Aurte'n hai'n Jinhone Apne Jazbe per Aitmaad karte hue kaam Shuru kiya to Allah ne unhe Gumraah kar diya, Kitni hi esi Aurte'n hai'n Jinhone Apni Quwwat ke bal boote per Apna kaam shuru kiya to Allah ne unhe Bimaar kar diya, Beshumar Aurte'n esi hai'n Jo Allah ki Qaza per Raazi na hui'n, Allah per Tawakkul na kiya to Duniya v Aakhirat me Nakaam v Namuraad ho gayi'n,*

*"❧_ Bahut si Aurto'n ne Apni Zindgi me Apne maal per bharosa kiya to Allah ne unhe faqeer bana diya, Unke bar Aks bahut si Aurto'n ne Allah per Tawakkul kiya to unke liye Duniya v Aakhirat ki Sa'adat v Khush Bakhti ke Darwaze khul gaye,*

*❧"_ Meri Musalman Behno! Allah Ta'ala ka ye Faisla hai k Jo Aurat us per Tawakkul karegi, Wo use kaafi ho jayega, Jo us per imaan layegi, Wo use Hidayat naseeb karega, Jo Sadqa karegi, use Jaza dega, Jo us per Aitmaad karegi, Use Nijaat dega aur jo use pukaregi, Wo uski pukaar sunega,*

*"❧_ Allah Ta'ala farmata hai:- Aur Jo Allah per imaan layega, Wo uske Dil ko Hidayat de dega ( Tagabun -11:64)*
*"❧_ aur jo Allah per Tawakkul karega To wo use kaafi ho jayega, ( Talaaq-3:65)*
*❧"_ aur Allah Tabarak v Ta'ala ne farmaya - Agar Tum Allah ko Qarze Hasna doge to wo use tumhare liye badha dega, ( Tagabun-17:64)*
*"❧_ aur irshade baari Ta'ala hai:- Aur Jo Shakhs Allah ke Deen ko Mazbooti se Thaam le to use Seedhe Raaste ki Hidayat mil jati hai _," ( Aale imraan -101:3)*

*❧"_ Aur Muqaddas Zaat ne farmaya - (Ey Nabi ) jab mere bande mere bare me Sawal kare'n to beshak Mai'n qareeb hu'n, Mai'n Dua karne wale Ki Dua Qubool karta hu'n, Jab bhi wo mujhse Dua kare _," ( Baqrah- 186:2)*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -178,**
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-80* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_Meri Musalman Behno! Hamare Salfe Saleheen ke Nazdeek Tawakkul Rizq ki talash aur Uske Liye koshish Karne ke manafi aur khilaf nahi tha lekin Baad Wale Logo'n me Kuchh ese Musalman bhi hai'n Jinhone Tawakkul ka Matalab Nihayat galat samjha hai Lekin Jo Shakhs Deene islam ki Talimaat per Gehri Nazar rakhta hai Use Ba Khoobi ilm ho jata hai k Tawakkul kisi haal me bhi Rizq ki Talash aur uski Koshish ke Khilaaf nahi hai,*

*"❧_ Isme Shaq nahi k Aaj ke daur me Tawakkul Gaflat aur Beparwahi Ki Shakl Akhtyar kar gaya hai, Zuhad Susti aur Bekaari ke hum ma'ani ban gaya hai, Allah ki Kifalat v Zimmedari ka matlab Logo'n ke maal per nazar rakhna samajh liya gaya hai,*

*"❧_ Mazkura Baala galat Fehmiya'n islam ki Mazboot Buniyado ko khokhla kar dene wali hai'n Lekin Jo Shakhs Rasulallah ﷺ ke irshadaat, Aap ﷺ ki Seerat aur Aapke Tawakkul aur Asbaab Akhtyar karne ke Amal Mubarak ka Mutal'a karega, Wo Haqeeqi Tawakkul ka Matalab Samajh jayega,*

*❧"_ Allah per Tawakkul karne me Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum aur Taaba'in ke halaat me bhi Tawakkul ki Wohi Shaan Nazar aati hai Jiska Sabaq Nabi Kareem ﷺ ke Uswa E Hasna se milta hai, Kuchh log Ese hai'n Jinhe Sahi Tawakkul ka ilm nahi aur unhone Tawakkul aur Tawakul ko Aapas me Khalat malat kar diya hai, Lekin Har daur me Ulma E Rabbani ne inki Tashih ki hai aur Asal Haqeeqat ko Waaze kiya hai,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -180,*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-81* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Janab Moosa bin Mukarram farmate hai'n k Ek Shakhs ne Hazrat Hasan Basri Reh se puchha :- Ey Abu Saied ! Agar Mai'n Subeh Qur'an Majeed Khol kar Shaam Tak Tilawat hi karta rahu'n to Mera ye Amal kesa qaraar payega ?*
*❧"_ Hazrat Hasan Basri Reh. ne farmaya - Subeh ke waqt Tilawat kar liya Karo aur Kuchh der Shaam ke Waqt Qur'an padh liya karo, Baqi saara din Apna kaam kaaj aur Apna karobaar kiya karo _,"*

*"❧_ Janab Abu Qalala Reh. Farmate hai'n:- Bazaar Jaya Karo kyunki isme ( Karobaar karne se ) Logo'n se Beparwahi hai aur Deen ki Salah bhi hai,*
*❧"_ Janab Bashar bin Haaris Reh. Ne Apne Bete Ko Nasihat karte hue farmaya- Pyare bete ! Apni Maa'n ki khidmat karo, Maa'n ki Nafarmani hargiz na karna aur Bazaar ko Laazim pakdo (Tijarat aur Karobaar zaroor karo )*

*"❧_ Imaam Abdullah bin Mubarak Reh. Se unka ye irshad manqool hai : Ahlo Ayaal ki bhalayi aur Parwarish ke liye koshish aur mehnat karne se koi cheez Afzal aur A'ala nahi_,"*
*"❧_ Imaam Sufiyan Suri Reh. Farmate hai'n - Jab Tum Allah ki ( Nifli) ibaadat karne lago to pehle ye dekh lo k ghar me zarurat ke mutabiq gandum mojood hai ya nahi, Mojood ho to ibaadat kar lo Varna pehle Gandum talash Karo ( kama kar Lao ) fir ( Nifli) ibaadat karo _,"*

*"❧_ Meri Musalman Behno! Nabi Kareem ﷺ aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Tawakkul ka yahi haal tha , Rozi kamana Aapki Sunnat thi, Jo Shakhs Aapke Ausaaf Akhtyar karna chahe use Aapki Sunnat ko Laazim pakadna chahiye, Khairun Nisaa wo Misaali Musalman Khatoon hai Jo Apne Rab per Tawakkul karti hai, Doosro Ke maal per nazar nahi rakhti, Apne Rab Ke Khazano per Aitmaad karti hai aur digar Musalman Aurto'n ke maal v daulat ki Tama nahi karti, Asbabe Zarurat Akhtyar karti hai Kyu'nki wo jaanti hai k Uske Rab ne jo Bimaari bhi Naazil ki hai, Uski Dava aur ilaaj bhi marhamat farmaya hai, Khirun Nisaa ko dono jahano ki kamyabi Mubarak ho, Wo is Duniya me Apne khaaliq per Aitmaad kar ke Ranj v Gam se Raahat pati hai aur Aakhirat me bemisaal Ni'amato wali jannat aur Rabbul Aalameen ki khushnudi se Sarfaraz hoti hai,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -182,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-82* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_Apne Tamaam A'amaal me Allah Ke Liye Mukhlis :-*
*"❧_ Khairun Nisaa Apne Tamaam Aqwaal v Af'aal aur Apne Rab ke Saath Tamaam Mamlaat me Mukhlis hone ke alawa Apne Nafs aur Sab Logo'n Ke Saath Mukhlis hoti hai, Behatreen Aurat Apne Tamaam A'amaal v Af'aal Sirf Allah ki Raza ke Husool ke liye Anjaam deti hai, isliye wo kisi dikhawe ke Liye kaam nahi karti, Makhlooq me Se Kisi ke Saath munafqat nahi karti aur Apne Rab ke Siva kisi se nahi darti _,"*

*"❧_ Meri Musalman Behno! Ikhlaas ka matalab kisi Cheez ka har Doosri Cheez ke milawat se paak hona hai, Jis Tarah tum kehte ho - Maine Doodh ko Pani ki milawat v Aamezish se paak rakha, ikhlaas me Salamti aur Nijaat ka Mafhoom bhi Shamil hai, ikhlaas me Sachcha'i aur Taharat ke ma'ani bhi shamil hai,*

*"❧_ islam me ikhlaas ka matalab ye hai k Allah Ta'ala se Taqarrub ke Husool ke liye har us Aib aur nuqs ka khaatma karna jo Taqarrub me rukawat hota hai, Lihaza Aqeede me bhi ikhlaas Shart laazim hai, isliye Qu'ran Kareem me Ek Soorat Surah ikhlaas ke Naam se mosoom hai jisme Aqeede ki Asaasi baate bayan ki gayi hai'n, Allah Ta'ala ki ibaadat ke Silsile me Yani Namaz Roza Zakaat aur Hajj me bhi ikhlaas hona zaroori hai, Ye Tamaam ibadaat Allah ke Qurb ke Husool aur uske Azaab se Nijaat pane ke Jazbe se Ada ki jaye'n,*

*"❧_ Logo'n ke Saath ikhlaas ye hai k Khareed Farokht, Len Den aur Digar qism ke Mamlaat me Allah ka khof malhooz rakha jaye,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -184,*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-83* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ _Jazba E ikhlaas Ke Chand Faza'il:-*
*"❧_ Ikhlaas Bande ko Har Sakhti se Nijaat dilata hai, Use Har gam aur Dukh se bachata hai, Uski Umr Rizq aur Amal me Barkat ka baa'is banta hai, Allah Ta'ala ne har Kamyabi aur Falah ikhlaas se wabasta rakhi hai,*

*"❧_ Jo Shakhs mahaz Allah ke Liye Khaalis Amal karta hai, Allah use Apni Muhabbat ata karta hai, Allah Ta'ala Sirf Wohi A'amaal Qubool farmata hai jo Sirf usi ke Liye khuloos se kiye gaye ho'n aur usi ki Khushnudi ke liye kiye gaye ho'n,*

*"❧_ insaan khuloos ki badaulat Waswaso se bach jata hai, Zahid Abu Suleman Daraani kehte hai'n - Jab Banda Apne A'amaal Allah Ke liye Khaalis kar leta hai to bahut se Waswaso aur Riyakari se Nijaat pa jata hai ,*

*❧"_ Ikhlaas ki vajah se Aadmi Burayi aur behaya'i se bacha liya jata hai, Mukhlis ke Dil se Hikmat v Danayi footti hai Jise Wo Apni zuban se Zaahir karta hai, Jab Banda Apna Amal Allah ke Liye Khaalis kar leta hai to Hikmat ke Chashme uske Dil se foot kar uski Zuban per jari ho jate hai'n,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -187,*
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-84* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ _ Allah Ta'ala Mukhlis Aurat ki Madad farmata hai aur uski Nekiyo'n me izafa kar deta hai aur Mukhlis Musalman Aurat wo hai jo Apni Nekiya'n chhipati hai Jis tarah Apni Buraiya'n chhipati hai,*

*"❧_ Apna Amal Allah Ki Raza ke Husool ke liye Anjaam do Lekin Amal ke liye pehla qadam uthane se pehle Tumhe ye Sochna Samajhna chahiye k Tum ye Amal kis ke liye kar rahi ho ? Aur Tumhe is kaam ki Targeeb dene ka Sabab kya hai ?*

*"❧_ Hafiz ibne Kaseer Reh. Farmate hai'n k Amal ki Qubuliyat ke do rukn hai'n, Zaroori hai k Amal Allah ke liye Khaalis ho aur Rasulallah ﷺ ki Shari'at ke muwafiq ho,*

*❧"_ Mukhlis Aurat Apni Nekiya'n hamesha poshida rakhti hai, Wo Apne nek A'amaal kisi ko batati nahi Kyu'nki wo jaanti hai k Allah Ta'ala uske Tamaam poshida aur Elaniya kaamo se khoob waaqif hai,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -188,*
       *︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽︿︽*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-85* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Hazrat Hasan Basri Reh. Kehte hai'n:- Ek Shakhs ne Saara Qur'an Majeed seekh liya lekin Logo'n ko khabar tak na hui, beshak Aadmi ne zabardast Fiqha haasil kar Li magar Logo'n ko ilm na hua aur Allah ka Ek Banda Apne ghar me Taveel Namaz padhta hai, Uske Paas mehman bhi hote hai'n magar unhe bilkul pata nahi chalta,*

*"❧_ Maine ese log dekhe hai'n k Roe Zameen per mojood jo Amal wo Chhipa kar kar Sakte they use Unhone Elaniya hargiz nahi kiya,*

*"❧_ Meri Musalman Behno! Apne A'amaal Allah ke Liye Khaalis kar lo, Jab baat Karo to Allah ke liye karo, Koi Amal karo to Allah ke liye karo, Har kaam Allah ki Raza ke liye Anjaam dogi To Allah ke Fazal v Karam se Khirun Nisaa ke muqam v martabe per pahu'nch ja'ogi,*

*"❧_ Hum Allah se Dau karte hai'n k Wo Tumhe un khush Bakht Aurto'n me Shamil farmaye, Allah Ta'ala Yaqinan har cheez per qaadir hai,* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -189,**
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-86* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾Walden Se Husne Sulook Karne Wali :-*

*"❧_ Behatreen Aurat Jaanti hai k Jannat ka Raasta Walden ki Farma bardari aur unke Huqooq ki Adaaygi se milta hai, isliye Wo unki Zindgi me unki Farma Bardar aur unki Maut Ke baad bhi unke Saath Neki karne Wali hoti hai, Unki Zindgi me Unke Araam ke Liye Raato ko jaagti hai aur unhe khush rakhne ki har Mumkin Koshish karti hai Agarche Iske Liye Mashakkat Bardasht karni pade,*

*"❧_ Unki Wafaat Ke baad unke Liye Dua karti hai, Un per Raham khaati hai, Unke Liye Allah Ta'ala se Bakhshish talab karti hai aur Apne Sajdo'n me Dua karti hai :- Ey mere Rab ! In Dono per Raham farma Jis tarah inhone bachpan me meri Tabiyat v Nigahdasht ki thi _,"*

*"❧_ Meri Musalman Behno! Islam ne Tum per Walden Ki izzat v Takreem Unke Saath Shafqat v Rehmat aur Husne Sulook Farz qaraar diya hai aur Farma Bardaar Ke Liye Azeem Ajro Sawab Ka Vaada kiya gaya hai, Walden Khwah Kaafir ho'n Fir bhi unke Saath Husne Sulook ka Hukm hai, Jis Aayat me bhi Allah ne Ta'ala ne Apni Toheed ka Tazkira kiya hai, Usme Toheed Ke baad Walden Ke Saath Husne Sulook ka Hukm diya hai Kyunki Allah Ke Baad Yahi do Hastiya'n hai'n Jo is Duniya me Tere Vajood Ka Sabab hai'n,* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -191,*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-87* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Waalid ne Tumhari Taleem v Tabiyat, Parwarish aur Tumhari Khuraak v Poshaak ke Liye kitni Sakhtiya'n Bardasht ki, Din Raat kaam Kiya, Tumhe Khush v Khurram Zindgi Muhayya karne Ke liye Safar Kiye, Unhone Rookhi Sookhi khayi aur Mota Jhota pehna magar Tumhe Behatreen Giza aur Umda Libaas muhayya kiya, Unhone hamesha mehnat Mashakkat ki Zindgi basar ki Tumhari Khaatir na jane kisi kis ki kesi kesi kadwi kaseli baate suni aur na jane kitni Raate Tumhare liye jaag kar basar ki,*

*❧"_ Magar unke bar Aks Tumhari Zindgi meethi neend me Suhane Khwab dekhte aur khelte koodte basar hui aur Tumhe Walden ki Tangi Tarshi ka Ahsaas tak nahi hua !*

*"❧_ Aur Maa'n ! Tumhe kya maloom k Maa'n kya Hasti hai ? Usne Tumhare liye bemisaal Mashakkat Bardasht ki Tumhe Apne pet me rakha aur Hamal ka Bojh uthaya, fir Tumhari Wiladat ki Takleef sahi,*

*"❧_ Usne Saari Umar bhook, Pyaas, Takleef aur Thakawat mehsoos kiye bager aur Tumhari taraf se kisi badle aur Jaza ke intezar ke bager guzari, usne Tumhari Mukhlis Khadima ban kar Zindgi guzaar di,*

*❧"_ Wo Tumhare liye Khana pakati thi, kapde dhoti thi, Tumhari bimari me raato ko jaagti thi, Uska Seena aur God hi Tumhara bistar aur bichhona hota tha aur uska Dil Tumhare liye Rehmat v Shafqat ka Khazana tha,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -192,**
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-88* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_ Meri Musalman Behno! Allah Ta'ala ne Tumhe Walden ke Saath Achchha Sulook karne aur Unki Farma Bardari ka Hukm diya hai, Allah Ta'ala farmate hai'n:-*
*"❧_(Tarjuma) Aur Aapke Rab ne Faisla kar diya hai k tum uske Siva kisi ki ibaadat na karo aur Walden se Achchha Sulook karo, Agar Un Dono me se koi ek ya Dono Tumhare Saamne Budhape ko pahu'nch jaye to unse Uff tak na kaho, Unhe Hargiz na jhidko, Unse naram Lehje me Nihayat Adab se baat karo, aur unke Saamne Rahamdili aur Aajizi ke Saath Apna pehlu jhukaye rakho aur kaho- Ey mere Rab! Un dono per Raham farma jese Unhone Bachpan me meri Parvarish ki_," ( Bani israail - 23-23)*

*"❧_ Ummate Muslima ke Jaleelul Qadr Aalim Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu Farmate hai'n:- Teen Ayaat Teen Ahkaam ke Saath mushtarak bayan hui hai'n, Unme se har Ek Apne hum Rishta Hukm ke Saath hi Qubool hoti hai :-*

*"❧_(1)_ Allah Ta'ala ka irshad hai - Aur Allah Ki ita'at Karo aur Allah Ke Rasool Ki ita'at Karo, ( Al Maa'ida- 92)*
*"❧_Lihaza Jo Shakhs Allah Ki Ita'at kare aur Rasulullah ﷺ ki ita'at na kare to uski ita'at Qubool nahi hogi _,*

*"❧_(2)_ Neez Allah Ta'ala ka irshad hai:- Aur Namaz Qaa'im karo aur Zakaat Ada karo _, ( Al Baqrah - 43)*
*"❧_ Chuna'che Jo Shakhs Namaz qaa'im kare magar Zakaat dene se inkaar kare to uski Namaz bhi Qubool nahi hogi_,*

*"❧_(3)_ Allah Ta'ala ne mazeed farmaya - Ye k Tu Mera aur Apne Walden ka Shukr kar ( bil Aakhir tujhe ) meri hi taraf lotna hai_, ( Luqman -14)*
*"❧_ isliye Jo Shakhs Allah ka Shukr Baja laye magar Walden ka Shukr Guzaar na Bane to Uski Shukr Guzaari Qubool nahi hogi_,* 
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -193,*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-89* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Rasulullah ﷺ ne yahi Taleem di hai k Musalman Aurat Allah Ki Raza haasil karne ki Aarzumand ho to use Apne Walden ki Raza Haasil karne ki koshish karni chahiye,*
*"❧_ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k Rasulullah ﷺ ne farmaya - Rab ki Raza Walid Ki Raza me hai aur Rab Ki Naraazgi Waalid ki Naraazgi me hai _,"*
*®_( Jami'a Tirmizi - Hadees 1899, Mustadrak Haakim - Hadees-7249)*

*"❧_ is Silsile me hamare Salf Saleheen ne bhi hamare Liye bahut se Pakiza Aqwaal chhode hai'n Jinse Walden ke Saath Husne Sulook ki Fazilat maloom hoti hai, Chand Aqwaal darje Zel hai'n:-*
*"❧_ Taaba'i Makhool Reh. Kehte hai'n - Walden se Husne Sulook Kabeera Gunaaho ka kaffara hai aur Aadmi Apne Qabile me rehte hue hamesha Apne Bado'n ke Saath Nek Sulook ki qudrat rakhta hai _,"*

*"❧_ Janab Ka'ab bin Ahbaar Reh. Farmate hai'n - Jo Shakhs Apne Walden ka Nafarman ho Beshak Allah Ta'ala uski Halakat v Barbaadi ko Aajilana bana deta hai taki use Azaab me jaldi mubtila kar de, Allah Ta'ala Walden ke Farmabardaar ki Umr badha deta hai taki use Neki aur Khair me badha de aur Walden ke Saath Nek Sulook me se un per ba Waqt Zarurat kharch Karna bhi Shamil hai,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -194,*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-90* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾_ Imaam Hasan Basri Reh. Kehte hai'n:- Walden Ki Farma Bardari ye hai k Tum unka har Maroof Hukm Baja lao Jab tak k wo Allah ki Nafarmani na ho, Unki Nafarmani na karo, yani unse Talluq todo na unhe Apni khair v Bhalayi se Mehroom karo,*

*"❧_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne Ek Shakhs ko doosre Shakhs ke pichhe pichhe chalte dekha to puchha - Ye kon hai ? Aage Wale ne kaha - Ye mere Waalid hai'n, To Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne farmaya - Waalid Ko uska naam le kar na bulao, Usse pehle Nashist per mat betho aur uske Aage na chalo,*

*"❧_ Janab Wahab bin Munabba Reh. Kehte hai'n - Allah Ta'ala ne Moosa Alaihissalam ki taraf wahi bheji - Ey Moosa ! Apne Walden ki izzat karo Kyu'nki Mai'n Walden ki izzat karne wale ki Umr badha deta hu'n aur use izzat karne wala Beta ata karta hu'n aur Jo Walden Ka Nafarman ho Mai'n uski Umr Kam kar deta hu'n aur use Nafarman beta deta hu'n,*

*"❧_ Meri Momina Behno! Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu ne ek Shakhs ko dekha, Wo Apni Maa'n ko Apne Kandho per bitha kar Tawaaf Kara Raha tha aur puchh raha tha : Amma Ji ! Kya khayal hai, Kya maine Aapka Haq ada kar diya? Is per Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya - Nahi, Abhi to Tere Liye uske Ek Martaba karahne ka Haq bhi Ada nahi hua,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -165,*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-91* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Kaha jata hai k Ek Beta bada Nek tha, Waalid Ka Nihayat Farmabardaar tha aur Apne Waalid ki Khushnudi haasil karne ke Liye bahut mehnat karta tha, Apni Farmabardari Nek Sulook aur Khidmat ki vajah se Fakhr v Guroor ka Shikaar ho gaya, Usne Turang me aa kar Apne Waalid se kaha - Abba Jaan ! Aapne mere Bachpan me Yaqinan meri badi khidmat farmayi hai, Ab Mai'n Aapke Saath usse Kai Guna zyada behtar Sulook karna Chahta hu'n, Allah ki Qasam! Aap Jo Cheez bhi maagenge Wo Aapko muhayya karunga, Chahe wo kitni hi Mushkil aur kitni hi door ho, Mai'n use bahar haal Aapki khidmat me Haazir kar ke Dam lunga,*

*"❧_ Us Nojawan ka Waalid Ek Daana aur Tajurbakaar Shakhs tha, Usne Apne Bete ke Jazbaat ko thesh pahu'nchana munasib na samjha, usne kaha - Pyare Bete! mujhe Sirf Ek Ratal Seb ki Chahat hai, Bete ne kai Ratal Seb foran Waalid ki khidmat me Haazir kar diye aur kaha- jab Aap ye kha le'nge to Mai'n Aapko isse Kai Guna zyada muhayya kar dunga, Mai'n Aapki Talab bharpoor tor per poori kar Sakta hu'n,*

*❧"_ Baap bola- Meri Zarurat ke Liye bahut hai magar Mai'n inhe Chhat per ja kar khaunga, Tum fil waaqe mere Farmabardaar ho to mujhe utha kar Chhat per chhod aao, Bete ne Baap ka hukm maana aur Baap ko Apne Kaandho per Sawaar kiya aur Chhat per le gaya, Use ek Araamdah jagah per bitha diya, Seb uske Saamne rakh diye aur kaha - Abba Jaan! Hasbe Zarurat le le'n, Mera Dil bada khush hai,*

*❧"_ Baap ne plate se Seb uthaya magar khane ke bajaye Chhat se niche Fai'nk diya, Fir Saare Seb isi tarah ek ek kar ke Fai'nk diye aur bete ko hukm diya k niche jao aur Saare Seb ikatthe kar ke dobara chhat per le aao, Baap ne isi tarah Teen baar Seb Fai'nke aur Beta unhe waapas le aaya, Chothi martaba Bete ke Sabr ka paimana jhalak utha aur Chehra Gusse ke maare laal ho gaya,*

*"❧_ Baap ne Bete ke Chehre per gussa dekha to Muskuraya, uske Kandhe per Thapki di aur kaha - Pyare Bete! Naraaz hone ki zarurat nahi, Ek Waqt tha k jab tum Namhe se they, Isi Chhat se baar baar gend ( Ball) Fai'nka karte they aur Mai'n Lapak kar Niche jata tha aur Tumhe gend Waapas la kar diya karta tha, Mujhe hargiz koi giraani Mehsoos nahi hoti thi balki meri Khushi ka uthla pyala Tumhe khush hota dekh kar hi bhar jata tha aur Mai'n der tak Masroor rehta tha,*

*"❧_ Meri Musalman Behno! Maa'n Baap ki khidmat aur Khaatir me jab tak chaho aur Jitna chaho zor laga lo, Haq ye hai k Tum unke Huqooq ka Daswa hissa bhi Ada nahi kar sakti, "Khairun Nisaa" Ki Seerat ka ek Khoobsurat pehlu ye hai k Wo Walden ki khushi ke liye har Mumkin kaam Anjaam deti hai magar iske Bavjood wo unke Huqooq ki Adaaygi me Apni Kotaahi ke Ahsaas se darti rehti hai, Uske isi Husne Amal se uska Rab usse Raazi ho jayega,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -199,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-92* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Wafadaar aur Ahad Ki Paasdaari Karne Wali:-*

*"❧_" Khairun Nisaa " Logo'n me Sabse Zyada Apne Rab, Apne Ghar walo, Apne Khawind aur Tamam Azeez v Aqaarib ke Saath Wafadaar rehti hai, Misaali Muslman Aurat Apne Rab ke Saath Wafa karti hai, Uske Farz karda A'amaal Anjaam deti hai aur Jin Kaamo se Allah Ta'ala ne mana farmaya hai unse Door rehti hai,*

*"❧_ Yu'n Wo har Mumkin ita'at kar ke Allah Ta'ala ka Taqarrub haasil karti hai, Apne ghar walo ki zindgi me unki khidmat karti hai aur unki Wafaat ke baad unke Liye Dua kar ke unse Wafa ka Muzahira karti hai, Apne Khawind ki Zindgi me use Pakiza aur Mehzab Alfaaz se mukhatib karti hai aur uski Wafaat ke baad uske Mahasin ka Tazkira kar ke usse Apni wafa ka Saboot deti hai,*

*"❧_ Wo Sab Logo'n Ke Saath unke Dukh Dard me Shareek hoti hai aur Apne Ahad ki Paasdaar hoti hai, Meri Momina Behno ! Wafa Parhezgar Momin Aurto'n ki Sifat hoti hai,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -201,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-93* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Rasulallah ﷺ ne Wafa ki Kitni Shandaar Misaal qaa'im farmayi hai - Aapne Apne Rab se Ahad ki khoob Paasdaari ki, Mushrikeen ne Aapko Dawate Haq Tark karne Ke Liye jaah v Mansab, Aish v ishrat aur maal v daulat ki Peshkash ki magar Aapne us Peshkash ko Hiqarat se Thukra diya aur Apne Rab se Ahad Ke Wafadaar rahe Yaha'n tak k Aap isi Haalat me Apne Rab se ja mile k Wo Aapse Nihayat Raazi aur khush tha,*

*"❧_ Nabi Kareem ﷺ ne Apni Zoja Mohatrama Hazrat Khadija Raziyallahu Anha se Ahad bhi khoob nibhaya, Zindgi bhar unhe Koi Takleef nahi Pahu'nchne di, Unki Maut Ke baad bhi Apna Ahad poora kiya, Unhe Kabhi faramosh nahi kiya, Kisi Marhale per kisi bhi Masrufiyat me Aapne unhe nahi bhulaya, Hamesha Achchhe Alfaaz me Yaad farmate rahe,*

*"❧_ Aksar Auqaat unki Tareef farmate they, Unki Haseen Aadaat aur Achche Dino ko Yaad karte they, Unke isaar aur Azeem kirdaar ko yaad karte they, Ek Din Sayyada Ayesha Raziyallahu Anha ne Badhri Khasse ke Tahat unki Taraf ishara karte hue kaha- Wo To Budhiya thi'n, Allah Ta'ala ne Aapko unke Badle unse Behtar Biviya'n ata kar di hai'n,*

*"❧_ Is per Nabi Kareem ﷺ ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki baat ki Tardeed ki aur Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke Faza'il Bayan farmaye, ( k Allah ne Mujhe unse Aulaad di aur wo Dushwariyo me meri Gamkhwaar aur Madadgaar thi'n)_,"*

*"❧_ Hattaki Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya- Mujhe Kisi Aurat per is qadar Rashk nahi hua Jitna Hazrat Khadija Raziyallahu Anha se hua Kyu'nki Nabi Kareem ﷺ Aapko bahut Yaad farmate they,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -202,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-94* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ "Khairun Nisaa" ne Wafa ki A'ala Misaale qaa'im ki hai'n, Khususan Apne Shoharo ke Saath unki Wafa Benazeer hai,*

*"❧_ Janab Asma'i Reh. Farmate hai'n - Suleman bin Abdul Malik aur Suleman bin Mohlib bin Abu Safrah Damishk ke qabristan se guzre, Unhone dekha k Ek Aurat ek Qabr per bethi ro rahi hai, Tez Hawa chali, Uske Chehre se Burqa hat gaya, Burqa kya tha, Baadal tha jo Suraj jese Chehre se Chhat gaya tha,*

*"❧_ Hum Dono Ko bada Tajjub hua, Hum use dekhte hi reh gaye, ibne Mohlib ne kaha- Ey Allah ki Bandi ! Kya tum Ameerul Momineen se Shadi karogi ?*

*"❧_ us Khatoon ne un dono ki taraf dekha, Fir Badi Hasrat se Qabr ki taraf dekha aur kaha- Tum dono mujhse meri muhabbat aur Chaahat ka haal puchhte ho to suno, Wo to is Qabr me so Raha hai Lekin mujhe usse Aaj bhi pehle ki tarah Haya aati hai, Hala'nki jab Wo Hayaat tha aur mujh per Sarsari nigaah bhi daalta tha to Mai'n usse Sharma jati thi_,"*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -205,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-95* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Khairun Nisaa me se ek Azeem Khatoon Fatima binte Abdul Malik hai'n, Wo Ek Badshaah Ki Beti, Ek Hukmran ki Bivi aur Chaar Badshaho ki behan thi, Suhagraat wo Apne Khawind ke paas is haal me pahu'nchi k Rue Zameen ke Sabse Zyada Qeemti Sone ke Zevraat aur Heere Jawaharaat se ladi Hui thi,*

*"❧_ Jab Umar bin Abdul Azeez Reh. Rushd v Hidayat ki taraf palte, Unhone Apne Rab ko Yaad kiya aur Faani Duniya ka Aish v ishrat Tark kar diya aur Apni Bivi ko Akhtyar de diya k wo Apne Khawind aur Apne Zevraat v Jawaharaat me se kisi ek ko chun le to us Azeem Khatoon ne Apne Khawind ki chun liya aur Hazrat Umar bin Abdul Azeez Reh. ne Apni Begam ke Tamaam Zevraat Musalmano ke Baitul maal me jama Kara diye,*

*"❧_ Jab Hazrat Umar bin Abdul Azeez Reh. Faut ho gaye to unki Beva Fatima ke paas kuchh ghatiya soch ke log aaye aur unke ek bade ne kaha- Aapke Heere Jawaharaat Baitul maal me ba dastoor Hifazat se mojood hai'n, Aap wo le le'n aur istifada kare'n, Hazrat Fatima ne ye Peshkash Hiqarat se Thukra di aur Wo Azeemus Shan baat kahi Jise Tareekh ke Awraaq ne hamesha ke liye Mehfooz kar liya hai,*

*"❧_ Unhone farmaya- Ye kabhi nahi ho sakta k Mai'n Apne Shohar ki Zindgi me to unki ita'at karti rahi magar Ab unke uth Jane ke baad unki Nafarmani shuru kar du'n,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -206,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐*
         *Bismillahirrahmanirrahim*
       *︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾﹀︾*
              *︵︷︵︷︵︷︵︷︵*
             *❀ MISAALI AURAT ❀*
              *︶︸︶︸︶︸︶︸︶*
                  ✸_ *PART-96* _✸
         ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
*❥➾ Imaam Gazali Reh. Farmate hai'n k Wafa Ke Saath Chand Cheeze Laazmi hai'n, Unme se Chand Ye hai'n:- Allah Ki Raza ki Khaatir Walden Ke Saath Tumhari Wafa Ka Taqaza ye hai k Tum unke Tamaam Dost Ahbaab aur Rishtedaro Ka khayal rakho Khususan Chachao'n aur Khalao'n ka,*

*"❧_ Wafa Ka Taqaza ye hai k insaan Aam Logo'n Ke Saath bhi Apni Tawazo me farq na aane de Agarche khud uski Shaan v Muqaam Buland ho, Wafa Ke Lawazim me se ye bhi hai k Tum Ahbaab Ki Judayi per betaab ho jao, Wafa Ka Taqaza ye hai k Tum kisi Dost ke bare me Chugli bhi na Suno, Wafa Nihayat Qabile Tareef khoobi aur Azeem Fazilat hai,*

*"❧_ Meri Musalman Behno! Meri Dua hai k Allah Ta'ala tumhe Apni Bandgi ke Mamlaat, ghar Walo Ke Mamlaat, Khawind ke saath Tumhare Sulook aur Tamaam Logo'n Ke Saath Mamlaat me Tumhe Wafa ka Johar Naseeb farmaye Taki tum Misaali Khatoon ka Aizaaz Haasil kar lo,*

*"❧_ Duniya ke Kisi Mazhab aur Kisi Nazariye Hayaat ne Aurat ko Wo Azmat nahi Bakhshi jo islam ne ata farmayi hai, Ye islami Talimaat hi ka Faizan tha k Musalmano ke Ma'ashre me Sayyada Khadija, Sayyada Ayesha, Sayyada Fatima, Sayyada Hafsa, Sayyada Umme Sulem, Sayyada Umme Ammara, Umme Aasim aur Sayyada Rabiya Basri jesi Azmat Maab Khawateen paida hui'n aur unke Saaya E Azmat Hasan v Husain, ibne Umar, ibne Zuber, Abdullah bin Abbas, Abdullah bin Amru bin Aas, Saied bin Zuber, Umar bin Abdul Azeez, Muhammad bin Qasim, Uqba bin Naafe aur Tariq bin Ziyaad Jese Azeem Ulma aur Mujahid Deene islam Tarbiyat pate rahe,*

*"❧_ Zamana Qayamat Ki Chaal Chal raha hai, Ab Tak ki malooma Tareekh me Kufr v Shirk ki Taaqate itni Gumrah Kun Tehzeeb aur is qadar mohlik Aslaha se Kabhi Muslah nahi hui'n jitni Aaj hai, Ye Baatil Taaqate Shama E islam ko bujhane ke darpe hai'n aur Muslim Ma'ashro me Fasaad failati chali ja rahi hai'n, in Halaat me Musalman Khawateen ka Kirdaar hamesha se Kahi'n zyada Ahmiyat Akhtyar kar gaya hai, Yani Wo khud islami Talimaat ka ilmi Paikar bane aur Apne Bachcho me bhi islam ki Muhabbat v Tadap paida kare'n, Jab Tak Hamari Mohatram Khawateen Allah Rabbul izzat ki Sachchi Bandgi ka Namoona v Numainda nahi banengi, Hamare Yaha'n koi Muhammad bin Qasim aur Koi Salahuddin Ayyubi paida nahi hoga,* 

*★_ Alhamdulillah Post Mukammal hui,*
 
     *®_Ref:- Misaali Aurat -207,*
       ❂〰✸〰✸〰✸〰✸〰✸〰❂
             *✍ Haqq Ka Daayi ,*
          ◐┄┅════❖════┅┄◐
http://www.haqqkadaayi.com
*👆🏻👆🏻Visit for Daily updates,*
https://chat.whatsapp.com/DVebQi8m0ex8pmUPCFetos
*👆🏻 What's app Per Mukammal Posts Ke Liye Link per Click Kijiye _,*
https://chat.whatsapp.com/KWYkxxfUvZDFTWSe9xOGNq
*👆🏻 What's app Per Sirf Roman Posts Ke Liye Link per Click Kijiye _,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫

Post a Comment

 
Top