0

 

  

✭﷽✭


         *✭ KHILAFAT E RASHIDA .✭* 

              *✿_ खिलाफते राशिदा _✿*

            ▪•═════••════•▪                  

      *┱ ✿- Khilafat Ka Masla -,*


★_ Aan Hazrat ﷺ ki tadfeen ki Taiyariya'n ho rahi thi k Ek Shakhs ne Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke paas aa Kar Kaha :- Ey Umar ! Ansari Hazraat Saqifa bani Sa'adah me Jama Hai'n aur khilafat ke Masle per baat Kar rahe Hai'n _,"

Ye Sunte hi Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Rasulullah ﷺ ke Darwaze per Tashreef laye, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu us Waqt andar they , Unhe bahar bulwaya , Wo Andar Kafan Dafan ki Taiyariyo'n me masroof they Lihaza kehla bheja k Mai'n is Waqt masroof Hu'n _,


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne andar fir Paigaam bheja k Ek Khaas Baat pesh aayi hai isliye bahar aa Kar sun Le'n _,

Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu bahar Tashreef laye, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Kaha :- Kya Aapko Maloom hai Saqifa bani Sa'adah me Ansar Jana Hai'n aur khilafat ke Masle per baat Kar rahe Hai'n aur sunne me Aaya hai k woh Hazrat Sa'ad bin ubada Raziyllahu Anhu ko khalifa banana chahte Hai'n ya Fir unka kehna hai k Ek Ameer Muhajireen me se ho aur Ek Ansar me se _,"


★_ Ye Sunte hi Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko Saath liya aur tezi se Saqifa bani Sa'adah ki taraf chal pade, Raaste me Hazrat Abu Ubaida bin Jarrah Raziyllahu Anhu mil gaye, Wo bhi unke Saath ho Liye ,


★_ Saqifa bani Sa'adah Ansari Sahabi Hazrat Sa'ad bin Ubada Raziyllahu Anhu ki milkiyat thi aur bethak Ka Kaam deti thi, Ansari Hazraat waha'n Jama ho Kar Aapas ke faisle Kiya Karte they, Aaj waha'n is Silsile me taqareer ho rahi thi, Hazrat Sa'ad bin Ubada Raziyllahu Anhu Taqreer me keh rahe they :- 

"_ Ey giroh Ansar ! Deen me Tumhe wo bartari haasil hai aur Islam me Tumhe Fazilat haasil hai Jo Arab me Kisi Ko nahi.. Tumne Mushkil tareen Waqt me Rasulullah ﷺ Ka Saath diya Jab unke Apne log unse dushmani Kar rahe they, Tumne Muhajireen ki madad ki , islam ke Dushmano ke Saath jihaad Kiya , Ab Allah Ta'ala ne Apne Rasool ﷺ ko Apne Paas bula liya , is haal me k wo Tumse bahut Khush they Lihaza khilafat Tumhara haq hai.. aur Kisi Ka nahi _,"


★_ Hazrat Sa'ad bin Ubada Raziyllahu ki is Taqreer ko Ansar ne Pasand Kiya Taham ek do ne ye Sawal Kiya :- Agar Muhajireen ne is Baat ko Pasand na Kiya ho ?

Ansari Hazraat me se Chand ne iska ye Jawab diya :- Tab hum ye Tajveez pesh karenge k Ek Ameer humme se ho aur Ek Ameer tumme se ho _,"


★_Hazrat Sa'ad bin Ubada Raziyllahu Anhu  ne is Tajveez ko na Pasand farmaya...  itne me ye Dono Hazraat waha'n pahunch gaye, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu farmate hai'n k Mai'n Raaste me ye sochta Aaya tha k waha'n ja Kar kya kahunga Apni Taqreer Ka mazmoon Maine Soch liya tha.. waha'n pahunch Kar Maine chaha Apni Taqreer shuru Karu'n... Mera iraada bhaanp Kar Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu bole :- Zara sabr Karo Pehle mujhe keh Lene do fir Jo Tumhara ji Chahe kehna _,"


★_ Fir Unhone Taqreer shuru ki to Wo esi thi k Jo Kuchh Mai'n kehna Chahta tha usse bhi zyada Behtar Unhone keh diya, Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu ne is nazuk moqe per Jo Taqreer ki wo ye thi :- 


"_ Allah Ta'ala ne Apni Makhlooqaat ke paas Muhammad ﷺ ko Apna aur Apni Ummat Ka nigraa muqarrar Kar ke isliye mabous farmaya tha k Sirf uski parastish ho uski wehdaniyat ho , Halanki isse Pehle log Allah Ta'ala ke Siva Mukhtalif Ma'aboodo ki ibaadat Karte they, Daava Karte they ye Ma'abood Allah Ke Yaha'n unki sifarish Karne wale aur nafa Pahunchane wale Hai'n Halanki Wo Patthar se tarashe aur Lakdi se banaye Jaye they , Allah Ta'ala farmata hai :- 

"_ ( Tarjuma ) .. aur Allah Ke Siva eso ki parasti Karte Hai'n Jo na unki nafa pahuncha sakte Hai'n aur na nuqsaan aur Wo Kehte Hai'n ye Hamare Ma'abood Allah Ke Yaha'n Hamare sifarishi Hai'n _," ( Surah Yunus -10 ) _,"


"_ Rasulullah ﷺ Ka ye payaam Arbo'n ko nagawaar hua aur Wo Apne Aaba'i Deen ke tark Karne per amaada na hue , Allah Ta'ala ne Aapki tasdeeq ke liye Muhajireen Avvaleen ko Makhsoos farmaya, Wo Aap ﷺ per imaan laye , Unhone Aap ﷺ ke Saath har haal me rehne ke liye Bayt Ka vaada Kiya aur bavjood Apni Qaum ki iyza rasaa'i aur takzeeb ke Unhone Rasulullah ﷺ Ka Saath diya , Halanki Tamaam log unke Mukhtalif they aur un per zulm Karte they , Magar Tamaam logo ke zulm aur Unki Sazisho ke bavjood Apni Kam tadaad se Kabhi mutassir aur Khaa'if nahi hue , is Tarah Wo Pehle log Hai'n Jinhone is Zameen me Allah Ta'ala ki ibaadat ki aur Allah Ta'ala aur Uske Rasool ﷺ per imaan laye , Wo Rasulullah ﷺ ke wali aur khandaan wale Hai'n aur Unke baad is mansabe imaarat ke sabke muqable me Wohi zyada mustahiq Hai'n aur Mai'n samajhta Hu'n k unke is Haq me Sivaye Zaalim ke aur koi unse Jhagda nahi karega _,"


"_ Ab rahe Tum Ansar ! Koi Shakhs Deen me Tumhari Fazilat aur ibtidayi shirkat aur khidmat Ka inkaar nahi Kar Sakta, Allah Ta'ala ne Apne Deen aur Apne Rasool ki himayat ke liye tumhe Pasand Kiya aur isliye Rasulullah ﷺ Tumhare paas Hijrat Kar Ke Aaye , is Waqt bhi unki Azwaaj aur Ashaab Tumhare Yaha'n rehte Hai'n, Beshak Muhajireen ke baad Tumhare muqable me Hamari Nazar me Kisi aur ki qadro manzilat nahi hai , Lihaza munasib hoga k Ameer hum Ho'n aur tum Wazeer , Har maamle me Tumse Mashwara Kiya Jayega aur bager Tumhare ittefaaqe raay ke hum koi Kaam nahi karenge _,"


★_Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki Taqreer Khatm hui to Hazrat Sa'ad bin Ubada Raziyllahu Anhu ne un logo se Kaha :- 

"_ Ey giroh Ansar ! Tum Wo log ho jinhone Sabse Pehle Deen ki himayat ki , Ab esa na Karo k tum hi Deen me bigaad paida Karo _,"

Hazrat Basheer bin Sa'ad Ansari Raziyllahu Anhu ne bhi isi qism ke Alfaz kahe , Ese me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu bol uthe :-

"_ Ye Umar Hai'n aur Ye Abu Ubaida Hai'n , Tum inme Se jise chaho Ameer Bana lo _,"

Ye Dono Hazraat foran bol uthe :- 

"_ Aapke Hote hue hum hargiz is mansab ko qubool nahi karenge , Kyunki Aap Muhajireen me Sabse Buzurg Hai'n , Gaar me Rasulullah ﷺ ke rafeeq rahe , aur Namaz ki imaamat me Rasulullah ﷺ ke Jaa'naaheen ban chuke Hai'n ... aur Namaz Hamare Deen Ka Sabse Bada rukn hai , isliye Aapke Hote hue ye Baat Kisi Ko zaib nahi deti hai k Wo Ameer bane , Aap Apna Haath Bayt ke liye badhaye'n _,"


★_ Ab Jo'nhi Hazrat Umar Farooq Raziyllahu Anhu aur Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhum bayt ke liye aage bade, Unse bhi Pehle Hazrat Basheer bin Sa'ad Raziyllahu Anhu ne Aage bad Kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu se Bayt Kar li , Fir sab hi bayt ke liye uth Aaye , Har taraf se log aa aa Kar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki Bayt Karne lage ,


★_ Bayt ke baad Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu aur doosre Hazraat waapas lote, Aan Hazrat ﷺ ki tadfeen me Shareek hue , Dafan ke Waqt ye ikhtilaaf paida hua k Aan Hazrat ﷺ ko Dafan Kaha'n Kiya Jaye ? Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne is moqe per farmaya :- 

"_ Maine Rasulullah ﷺ se ek Hadees suni hai aur Mai'n use  bhoola nahi aur wo ye Hai k Allah Kisi Nabi ki Rooh usi Jagah qabz karta Hai Jaha'n use dafan hona Pasand hota hai, Lihaza tum bhi Aan Hazrat ﷺ ko Yahi'n dafan Karo _,"

Chunache esa hi kiya gaya ,


★_ Pehle Din Jo Bayt hui thi wi Khaas logo ke majme me hui thi Lihaza doosre Din Masjide Nabvi me Aam Bayt Ka intezam Kiya gaya, Sab Musalman Jama hue , is moqe per Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Mimbar per Beth Kar khutba diya aur farmaya :-

"_ Mai'n Ummeed karta Hu'n k Rasulullah ﷺ hum logo ke baad tak zinda rahenge, Lekin ab Wo wafaat pa gaye Hai'n, bahar haal Allah Ta'ala ne Tumhare Saamne ek esa Noor rakh diya hai Jisse tum Wohi hidayat haasil Kar sakte ho Jo Rasulullah  ﷺ  se haasil karte they , bila shub'ha Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Rasulullah ﷺ ke Saathi aur Gaar ke rafeeq Hai'n , Musalmano ki sarbarahi ke liye tumme Sabse Behtar Yahi'n Hai'n... Bas khade ho jao aur inse Bayt Karo _,"


★_ Ye Kehne ke baad Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu se arz Kiya :- 

"_ Aap Mimbar per aa Jaye'n _,"

Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu ke Jism me koi Harkat na hui , unse Ka'i baar Kaha gaya Tab Wo khade hue aur Musalmano ne unse Bayt ki , iske baad Unhone logo ko khutba diya, Khalifa banne ke baad ye unka pehla khutba tha ,


★_ Tabqaat ibne Sa'ad me hai k esa khutba fir Kisi Zubaan Se sunne me nahi Aaya , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Pehle to Allah ki Hamd v Sana Bayan ki fir farmaya :-

"_ Logo ! Mai'n Tumhara Ameer banaya gaya Hu'n Halanki Mai'n Tumse Behtar Nahi , Pas agar Mai'n Achchha Karu'n to Meri madad Karo aur Mai'n agar Bura Karu'n to mujhe sidha Karo , Sachchayi Ek Amanat hai aur Jhoot Khayanat, Tumme Jo Kamzor hai Wo mere Nazdeek Taaqatwar hai Jab tak k Mai'n uski Shikayat door na Kar du'n aur tumme Jo Taaqatwar hai Wo mere Nazdeek Kamzor hai jab tak k usse haq wasool na Kar Lu'n, Jo Qaum jihaad Chhod deti hai Allah Ta'ala us per zillat musallat Kar deta hai aur Jis Qaum me behayai aam ho Jati Hai Allah Ta'ala un per Musibat Naazil Kar deta hai, Mai'n jab tak Allah aur Uske Rasool ki ita'at Karu'n tum Meri ita'at Karo aur Jab Mai'n Allah Ta'ala aur Uske Rasool ki nafarmani Karu'n to tum per Meri koi ita'at Farz nahi , Ab Namaz Ke liye utho Allah Ta'ala tum per Raham farmaye _,"


★_ Seerat aur Tareekh ki Kitaabo me ye Zikr milta hai k Kuchh logo ne us Din Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu se Bayt nahi ki thi, Unme Ek Naam Hazrat Ali Raziyllahu Anhu Ka liya jata hai , Aam tor per Kaha jata hai k Unhone 6 maah tak Yani Hazrat Fatima Raziyllahu Anha ki wafaat tak Bayt nahi ki aur Ghar me Bethe rahe , Fir 6 maah baad Bayt ki .. Lekin ye Baat Durust nahi,


★_ Mustadrak Haakim ne Hazrat Abu Saied khudri Raziyllahu Anhu se rivayat ki hai :-

"_ Kabhi Abu Bakar Mimbar per Beth gaye to   Unhone logo per Nazar daali , Hazrat Ali Raziyllahu Anhu Nazar na Aaye to unke bare me Puchha, is per Kuchh Ansari uthe aur Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ko le Aaye, Uske baad Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu se Bayt Kar li , imaam Haakim farmate hai'n k ye Hadees Sahih hai _," *( Mustadrak Haakim)*


★_ Ye Theek hai k Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne Hazrat Fatima Raziyllahu Anha ki wafaat ke baad Ek Baar fir Hazrat Abu Bakar ki Bayt ki  thi Magar ye Doosri Bayt is vajah thi k Virasat ke maamle me Jo ilmi ishkaal Hazrat Ali ko tha Wo bhi jata raha tha , Matlab ye k Khilafat ke Silsile ki Bayt to usi Din Kar li thi , ye Doosri Bayt Tajdeede Bayt thi aur ilmi ishkaal ke Khatm hone Ka khula elaan Kar thi ,


★_ Hazrat Zuber bin Awaam Raziyllahu Anhu ke bare me bhi isi qism ki baat Kahi Jati Hai, Lekin ye bhi Durust nahi, Hazrat Zuber Raziyllahu Anhu ne bhi Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ke Saath hi Bayt ki thi, *( Mustadrak Haakim - Jild -3 Safa -66 )*


★_ Isi Tarah Hazrat Sa'ad bin Ubada Raziyllahu Anhu ke bare me bhi Kaha jata hai k Unhone bhi Bayt nahi ki thi... Ye bhi galat hai , Kyunki Musnad imaam Ahmad me hai k Hazrat Sa'ad bin Ubada Raziyllahu Anhu ne Khushi se Bayt ki thi, Maloom hua m Islam ke Dushman log esi baate mash'hoor Karte Hai'n, unki taraf kaan nahi dharna Chahiye ,


 ★_ Jis Waqt Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Khalifa bane wo Musalmano ke liye Nihayat naazuk Waqt tha , Sabse Bada Sadma to Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki wafaat Ka tha , iske alawa Madina Munavvara me munafiqo Ka Ek giroh mojood tha , Ye log Musalmano ko nuqsaan Pahunchane Ka koi moqa Haath se Jane Nahi dete they, Aan Hazrat ﷺ ki Hayaat mubarak me bhi inhone Baar Baar Munafqat dikhayi thi , Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke baad Unhone khul Kar Kaam Karne ki thaan li , 


★_ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu us Waqt Ke Halaat Ka naqsha in Alfaz me Bayan karte Hai'n :- 

"_ Rasulullah ﷺ ki wafaat ke baad hum Musalmano ko ese Halaat Ka saamna Karna pada k Agar Allah Ta'ala Abu Bakar Siddiq Raziyllahu ko ata farma Kar hum per Ahsaan na Karte to hum Halaak ho jate _,"


★_ Isi Tarah Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha Farmati Hai'n :- 

"_ Rasulullah ﷺ ki wafaat ke baad mere Waalid per Musibato ke pahaad toot pade , Ek taraf Madina Munavvara me munafiq mojood they Doosri Taraf Arab murtad ho rahe they _,"


★' _ in Halaat me Ek Aham masla ye tha k Aan Hazrat ﷺ ne Apni Zindgi ke Aakhri Dino me Hazrat Osama bin Zaid Raziyllahu Anhu ki qayadat me Ek Lashkar rawana farmaya tha , Wo Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ki vajah se Ruk gaya tha , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke Saamne Sabse Bada Sawal ye tha k wo us lashkar ko rawana Kare'n ya Pehle murtad ho Jane Walo ki taraf Tavajjoh de'n , us Waqt Tamaam Sahaba Bahut ghabraye hue they,

 ╨─────────────────────❥     


 *★_ Lashkare Osama Raziyllahu Anhu Ki Rawangi _,"*


★_ Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ne in Halaat me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko ye mashwara diya:- 

"_ Aap dekh rahe Hai'n Halaat kya Hai'n , le de Kar ab Yahi Musalman Hai'n Jo Aapke Saamne Hai'n , Aap dekh hi rahe Hai'n k Arab Ka Kya haal hai .... isliye munasib nahi k Aap is Waqt us Lashkar ko rawana farmaye'n _,"


★_ Allah Ta'ala ne Rasulullah ﷺ Ka khalifa bhi to Kisi Aam insaan Ko nahi banaya tha , Wo Pahaado se bhi Zyada mazboot they , Sabki Raay sun Kar bole :-

"_ Qasam hai us zaat ki Jiske qabze me Meri Jaan hai ... Us Lashkar ko bhejne ke Silsile me agar Madina is Tarah Khaali ho Jaye k Mai'n hi Akela reh jau'n aur Darinde aur Kutte mujhe faad khaye'n to bhi Mai'n Osama ko Aan Hazrat ﷺ ke hukm ke mutabiq us muhim per rawana karunga _,"


★_ Ab Jab Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ko Hazrat Abu Bakar Siddiq Ka Faisla Maloom ho gaya aur Unhone jaan liya k Khalifa e Rasool esa Kar Ke rahenge to Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne is moqe per ye mashwara diya :-

"_ Ey Khalifa e Rasool ! Is lashkar me Umar Raseeda aur Tajurbe Kaar Sahaba Shamil Hai'n .. Jabki Osama Nojawan Hai'n, isliye Behtar ye rahega k Kisi Umar Raseeda aur Tajurbe Kaar Aadmi ko Lashkar Ka Ameer muqarrar farma de'n _,"


★_ Ye Raay Sunte hi Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Shadeed Gusse me aa gaye aur farmaya :- 

"_ Ey Khattab Ke bete ! Rasulullah ﷺ ne Osama ko Lashkar Ka Ameer muqarrar farmaya hai aur tum Kehte ho Mai'n unki Jagah Kisi aur ki Ameer muqarrar Karu'n, Esa hargiz nahi Hoga _,"


★_ Ye Mashwara dar asal Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko Kuchh doosre Sahaba kiraam ne diya tha , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Ka Faisla sun Kar unke paas waapas Aaye aur Unhe Bura bhala Kaha k unki vajah se Unhe Khalifa e Rasool ki Naraazgi Ka saamna Karna pada _,

★_ Ab Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Elaan farmaya :- 

"_ Jin logo ko Osama ke lashkar me Shamil Kiya gaya tha Jane ke liye Taiyaar ho Jaye'n, Unme se koi bhi Pichhe na rahe ... Sab log muqame Harf me pahunch Jaye'n _,"


★_ Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum Taiyaar ho Kar waha'n pahunch gaye, Ab Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu waha'n Tashreef laye , Hazrat Osama bin Zaid Raziyllahu Anhu ko rawangi Ka hukm farmaya, Lashkar rawana hua to Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu unke Ghode ki lagaam thaame Paidal chal rahe Hai'n .. is Soorate Haal se Hazrat Osama Raziyllahu Anhu pareshan hue , Chunache Unhone arz Kiya :-

"_ Ey Khalifa e Rasool ! Ya to Aap bhi sawaar ho Jaye'n ya Mai'n ghode se utar jata Hu'n _,

Us Waqt Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Jawab diya, is per insaan jitna bhi jhoome Kam hai , ... Aapne farmaya :-

"_ Allah ki qasam ! Na tum utroge na Mai'n sawaar hunga , Kya hua agar Allah Ta'ala ke Raaste me Kuchh dayr ke liye mere Paanv gubaar Aalood ho gaye, Gaazi ke har har qadam ke badle saat so (700) nekiya'n likhi Jati Hai _,"


★_ iske baad Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Hazrat Osama Raziyllahu Anhu se farmaya :-

"_ Agar tum na- munasib na samjho to Umar ko mere paas Chhod Ja'o, Mujhe unke Mashware ki zarurat hogi _,"

Hazrat Osama Raziyllahu Anhu ne ye Baat Khushi se maan li, Ab Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Lashkar ko rok Kar Nihayat aham aur Qeemti hidayat di ,


★_ Rukhsati ke Waqt Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Hazrat Osama Raziyllahu Anhu se ye bhi farmaya :- 

"_ Rasulullah ﷺ ne tumhe Jese Hukm diya tha, Wese hi Karna .. uski tameel me zarra barabar kotahi na ho _,"

Aur Aan Hazrat ﷺ ne Apne Aakhri Ayyam me unse farmaya tha :-

"_ Filisteen Ki Sarzameen me Balqa aur Daroom ke Jo ilaaqe Hai'n islami Lashkar unko Fatah Kar Ke Aaye _,"

Ye Lashkar Teen Hazaar Muhajireen Aur Ansar per mushtamil tha , isme se ek Hazaar Sawaar Fauj thi ,

 ★_ Jab ye Lashkar iysaiyo'n ke Lashkar ke Saamne Aaya to Hazrat Osama Raziyllahu Anhu ne unse farmaya :-

"_ Ey Mujahideen e islam ! Hamle ke liye Taiyaar ho jao , Dushman agar bhaag nikle to Uska Puchha na Karna , Aapas me muttahid raho aur ittefaaq se raho .... Halki Awaaz se bolo , Allah ko Apne Dilo me Yaad Karo aur Talwaar jab ek Baar niyaam se bahar nikaalo to fir jab tak tum Apne Dushman Ke sar qalam na Kar do unko niyaamo me na rakhna _,"


★_ is Taqreer ke baad Hamla shuru hua , us Waqt Hazrat Osama Raziyllahu Anhu Apne Waalid ke ghode per sawaar they Jis per Jung Karte hue Wo Shaheed hue they , Shadeed ladayi ke baad Aakhir Dushman bhaag nikla , Unme se beshumaar qatl hue aur Lashkare Osama kamyaab raha , is Jung me Ek bhi Musalman Shaheed nahi hua tha ,


★_ Hazrat Osama Raziyllahu Anhu ne Kamyaabi ki khabar Madina Munavvara rawana farmayi , Madina Munavvara me is khabar se Khushi ki Lehar daud gayi , Jab Lashkar Madina me dakhil hua to Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu aur doosre Sahaba Samet Madina ke logo ne Uska Zabardast istaqbaal Kiya, Hazrat Osama Raziyllahu Anhu us Waqt bhi Apne Waalid ke ghode per sawaar they aur Unke Ghode ke aage Hazrat Bureda Raziyllahu Anhu Parcham uthaye chal rahe they aur ye Wohi Parcham tha Jo Aan Hazrat ﷺ ne Apni wafaat se Chand Roz Pehle Hazrat Osama Raziyllahu Anhu ke Supurd Kiya tha,


★_ Jab Kuchh logo ne Hazrat Osama Raziyllahu Anhu ko Ameer banane per aitraaz Kiya tha , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne farmaya tha :-

"_ Jis Parcham ko Rasulullah ﷺ ne khud khola tha , Mai'n use kis Tarah lapet du'n _,"


★_ Us Waqt Musalmano ki Khushi bepaya thi , Is muhim Ka Sabse Achchha natija ye Saamne Aaya k Qaisar Rom bad hawaas ho gaya, Wo us Waqt Hims me tha , Usne Apne logo se Kaha :-

"_ Dekho ye Wohi log Hai'n Jinse Maine tumhe Khabardaar Kiya tha Lekin tumne Meri baat per dhyan nahi diya ... Ab Zara un Arbo ki hummat aur Jurr'at dekho, Ek Maah ke Faasle per aa Kar tum per Hamla Kar dete Hai'n aur Sahi Salamat waapas chale jate Hai'n _,"


★_ Arab aur Shaam ki Sarhado per Jo Qaba'il Abaad they Wo Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ki khabar sun Kar Baagi ho gaye they, is Fatah se Unhe Yaqeen ho gaya k Madina Munavvara me Musalmano ki Bahut badi tadaad mojood hai , Varna is qadar Faasle per lashkar hargiz rawana nahi Kar Sakte they , is khayal ne un per Musalmano ki dhaak bitha di ,


★_ Ye muhim Maah Rabiul Awwal 11 Hijri me rawana ki gayi Thi aur Rawana hone ke baad waapas Aane tak do Maah lage they , is Zabardast Kamyaabi Ke baad Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne un logo ke khilaf Kaarwayi Ka Faisla farmaya Jo Zakaat Ka inkaar Kar bethe they ,

 ╨─────────────────────❥     

 

★_ Munkireen Zakaat Se Elaan E Jung _,*


★_ Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke baad Madina ke Aas Paas  Abaad Qaba'il ne elaan Kar diya k hum Zakaat nahi denge , Jinme Banu Kanana , Banu Gatfaan , Banu Qararah , Banu Abas aur Zibaan Shamil they , Inhone elaan Kiya :- Hum Namaz to padhenge Lekin Zakaat nahi denge _,"

Ab Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne in Qaba'il ke khilaf Elaan E Jung Kiya to Ek Baar Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum Pareshan hue bager na reh sake _,,


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne is Faisle per aitraaz Karte hue arz Kiya :- Aap in logo se kis Tarah Jihaad karenge , Aan Hazrat ﷺ ne to farmaya hai - mujhe Hukm diya gaya hai k logo se us Waqt tak qitaal Karu'n jab tak k wo  .... Laa ilaaha illallahu Muhammadur Rasulullah .. na kahe'n , Lekin jab wo Kalma padh lenge to Unki jaane aur Unke Maal mehfooz ho Jayenge _,"


★_ is Baat ke Jawab me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne farmaya :- Namaz aur Zakaat me Farz hone ke aitbaar se koi farq nahi , Chunache Qurane Majeed me aksar maqamaat per Namaz aur Zakaat Ka Zikr Ek Saath hai , iske alawa Qur'an me irshad Hai .. Pas agar ye log Tauba Kar Le'n aur Namaz padhe aur Zakaat Ada Kare'n to unhe Kuchh na kaho _,"


★_ Iske alawa ek Daleel ye Hai k Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me Taa'if Ka Ek wafad aaya tha , Usne Kaha tha k Hum islam qubool Karne Ke liye Taiyaar Hai'n Lekin hum Namaz nahi padhenge, Aan Hazrat ﷺ ne Bahut Sakhti se unki Baat Radd farmayi thi aur farmaya tha , Bhala Wo Deen hi kya Jisme Namaz nahi ho _,"

So jab Namaz Ke bager Deen nahi to Zakaat Ke bager bhi Deen nahi _,"


★_ Ye Jawab sun Kar Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne is Baat ko durust tasleem Kar liya , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne is moqe per farmaya :- Thodi hi dayr hui thi k Maine Dekh liya , Allah Ta'ala ne Abu Bakar Ka Seena Khol diya tha _,"


★_ Jo log ye Baat Karne ke liye Aaye they k hum Zakaat nahi denge, wo Mayoos ho Kar lot gaye , Madina Munavvara se rukhsat Hote Waqt un logo ne ye Baat saaf Mehsoos Kar li thi k Madina Munavvara me is Waqt thode Musalman baqi Hai'n, Zyadatar to Hazrat Osama Raziyllahu Anhu ke Lashkar ke Saath ja chuke Hai'n, Unhone Apne Qabilo ko Jama Kiya , Saari Soorate Haal Unhone batayi k is moqe se faayda uthana Chahiye ... Is Waqt Madina Munavvara per Qabza Karna Bahut Asaan Kaam Hoga _,"

 ★_ idhar ye log ye mansooba bana rahe they, udhar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Waqt ki nazakat ko Mehsoos Kar liya aur Madina Munavvara ki Hifazat me lag gaye, Pehla kaam Unhone ye Kiya k bade bade Sahaba Hazrat Ali , Hazrat Abdur Rahman bin Auf, Hazrat Zuber bin Awaam, Hazrat Abdullah bin Masoud, Hazrat Talha bin Abdullah Raziyllahu Anhum ki sarkardi me Madina Munavvara ke Mukhtalif Raasto per hifazati daste muqarrar farma diye ,


★_ Baqi Jo log Madina Munavvara me they un per Masjid ki haazri Zaroori qaraar di Taki hangami Haalat me foran sabko khabar ho Jaye , Saath hi Aapne sab logo ko Khabardaar Karte hue farmaya :- "_ Musalmano ! Ye Jo wafad Yaha'n se gaya hai Ye Tumhari tadaad ki Kami ko dekh Kar gaya .. ye log Kisi bhi Waqt hum per hamla Kar sakte Hai'n, Ye Hai'n bhi Aas paas ke , Unhe Madina Munavvara tak pahunchne me dayr nahi lagegi , Humne unki Baat nahi maani Lihaza ye Hamla Zaroor karenge _,"


★_ Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu Ka khayal bilkul Durust Saabit hua , Zakaat Ka inkaar Karne wale Qaba'il ne Madina Munavvara per hamla Kar diya, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Pehle hi hifazati daste muqarrar farma diye they , Unhone hamle ki ittela Aapko bhej di, Aapne Unhe Paigaam bheja k Apni Jagah date raho , Mai'n aa raha Hu'n , Fir Aapne Musalmano ko saath liya aur Baagiyo ke muqable me aaye , Zordaar Jung hui ... Baagi hamle ki taab na la sake aur bhaag nikle ,


★_ Musalmano ne unka Puchha Kiya , Baagiyo ne Zohasi ke Muqaam per pahunch Kar panaah li , Waha'n unke Saath doosre Baagi Shamil ho gaye, Ek Baar fir ye log Madina Munavvara per hamla ke liye rawana hue , in Hamla Karne walo me Qabila Abas , Zibyan , Banu murrah aur Banu Kanana vagera ke log Shamil they ,

: ★_ Doosri Taraf Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu bhi Jaan chuke they k ye log fir hamla karenge, Lihaza Unhone Jung ki taiyari jaari rakhi, Fauj ba qaaida Tarbiyat ki, Fir isse Pehle k Dushman Madina Munavvara ke Nazdeek pahunchta Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu unki taraf bade , Abhi Subeh nahi hui thi k un per ja pade , Wo abhi soye pade they , Musalmano ne Unhe maarna shuru Kiya to bad hawaas ho Kar bhaagna shuru Kiya , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne zu'alqasa ke Muqaam per pahunch Kar dam liya ... Lekin Baagiyo me ab muqable ki Himmat nahi rahi thi , 


★_ Aapne Hazrat Nomaan bin Maqran ko waha'n chhoda aur Foran Madina Munavvara lot aaye , islami Lashkar ki is shandaar Kamyaabi se Musalmano me Khushi ki Lehar daud gayi, iska Shandaar Natija ye nikla k Mukhtalif Qabilo ke Sardaar Apne Apne Qabile ki Zakaat le Kar Aane lage , ... Yani Pehle Zakaat Ke inkaari they , Ab khud le Kar aa gaye, isse Musalmano ki maali Haalat mazboot ho gayi ,


★_ Is dauraan Ek Waqia aur hua , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu jab zu'alqasa se waapas lot aaye to Qabila Abs aur Zibyan ne waha'n mojood those se Musalmano per Hamla Kar diya aur Unhe dhoke se qatl Kar diya , Siddiqe Akbar ko ye khabar Mili to qasam Khayi :- "_ Jab tak hum in Qabilo se Musalmano ke na - Haq Khoon Ka badla nahi lenge , Chain se nahi bethenge _,"


★_ Is dauraan Hazrat Osama bin Zaid Raziyllahu Anhu Ka lashkar Shandaar Fatah haasil Karne Ke baad Madina Munavvara pahunch gaya , isse Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko aur zyada itminan Naseeb ho gaya, Aapne Hazrat Osama Raziyllahu Anhu ko Madina Munavvara me Apna qaaim Muqaam banate hue unse farmaya :- Tum log ab Araam Kar lo _,"

Fir Aapne khud Ek fauj le Kar zu'alqasa ki taraf rawana hone Ka iraada farmaya Taki Gaddaar Qabilo ko saza de'n aur Musalmano Ka inteqam le sake, 


★_ Is per Chand bade sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ne unse arz Kiya :- Ey Khalifa e Rasool ! Aap na Jaye'n, Agar Khuda na Khwasta Aapko Kuchh hua ya Aap zakhmi ho gaye to hum logo Ka nizaam baqi nahi rahega,   Jabki agar Aap Yaha'n rahenge to isse Dushman per roab rahega , Aap Apne Bajaye Kisi aur ko bhej de'n _,"

 ★_ is moqe per Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne Aapse arz Kiya :- Ey Khalifa e Rasool ! Aap Kaha'n ja rahe Hai'n... Apni Jaan ko khatre me na daale _,"

Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu anhu ne Sahaba kiraam ke israar ke bavjood khud hi Jana Pasand farmaya aur Zu'alqasa ki taraf rawana ho gaye , Muqame Abraq me pahunch Kar logo per hamla Kiya , Unke Sardaar Haaris aur Auf they , un Dono ko shikasht di , Banu Abs aur Banu Bakar khofzada ho Kar bhaage , Aapne Chand Din Abraq me Araam farmaya, Fir Aage bade aur Banu Zibyan ko shikasht di aur Unke ilaaqe per Qabza Kar liya , is Tarah Qabila Abs aur Zibyan ne Jin Musalmano ko Shaheed Kiya tha , unse inteqam le liya , Fir fatah Ka Parcham lehrate hue Waapas Aaye ,


★_ Banu Zibyan, Abs , Gatfaan aur Unke alawa doosre qabilo ki ye Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke Saath Aakhri Jung thi , Ye Qabile Madina Munavvara ke qareeb Abaad they aur Araabe Madina kehlate they , Chahiye to ye tha k Ab ye log Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki ita'at qubool Kar Lete , Zakaat ki farziyat ke bhi qaa'il ho jate aur Pakke Sachche Musalman ban jate, Lekin ab ye Musalmano ke muqable me Jin logo ne Nabuwat Ka Daava Kiya tha unki safo me Shamil ho gaye,


★_ Hazrat Osama bin Zaid Raziyllahu Anhu Ka lashkar Kuchh Dino Araam Karne Ke baad fir se taza dam ho chuka tha , isliye Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Nabuwat Ka jhoota Daava Karne walo ki taraf Tavajjoh farmayi , Aapne islami fauj ko 11 hisso me Taqseem farmaya, Har hisse Ka Ek Salaar muqarrar farmaya, in Lashkaro ko rawana Karne se Pehle Hazrat Siddiqe Akbar Raziyllahu Anhu ne unse khitaab farmaya ,


★_ In 11 Lashkaro me Sabse Pehla lashkar Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Ka tha , Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu aur Unke Lashkar ko Talhiya Asadi aur Maalik bin Nuwerah ki taraf rawana farmaya, Talhiya ne Nabuwat Ka Daava Kiya tha, Jabki Maalik bin Nuwerah Zakaat Ka munkir tha , 


★_ Talhiya Bazakha me thehra hua tha , wo idhar udhar ke Qabilo ko Mila Kar Musalmano ke khilaf ek badi Jung ki taiyari me masroof tha , isliye Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Sabse Pehla Lashkar uski taraf rawana Kiya , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne lashkar rawana karte Waqt Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu se farmaya :- "_ Tum Pehle Qabila Banu Tay ki taraf jao , fir Bazakha Ka rukh Karna , Waha'n se Faarig ho jao to fir Batah ki taraf rukh Karna aur jab tum is muhim se Faarig ho jao to Mera doosra Hukm Aane tak wahi'n theharna _,"

 ★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Qabila Banu Tay ki taraf rawana hue, Aapne Apni rawangi se Pehle Hazrat Adi bin Haatim Raziyllahu Anhu ko Qabila Banu Tay ki taraf rawana Kiya , Ye Musalman ho chuke they aur us Qabile ke Mo'zij Aadmi they , Unhone Qabila ke logo se Kaha :- "_ Dekho ! Khalid bin Waleed ek lashkar Jaraar le Kar tum logo ki taraf rawana ho chuke Hai'n, isliye Behtar Yahi hai k tum islam qubool Kar lo aur Talhiya Ka Saath Chhod do , Varna islami Fauj tumko tabaah v barbaad kar degi _,"


★_ Ye sun Kar wo log mazaaq udane lage , Tab Hazrat Adi bin Haatim Raziyllahu Anhu ne sakht lehje me Kaha :- Tum ho kis khayal me .. Jo Shakhs Tumhari taraf lashkar le Kar aa raha Hai .. Wo Behatreen jungju hai , Maine tumhe samjha diya , Ab tum Jano Tumhara Kaam Jane _,"

Tab un logo ne Kaha :- Achchha Aap Zara Hazrat Khalid ke lashkar ko Humse roke rakhe ..Hamare Jo Bhai Talhiya ke paas Bazakha chale gaye Hai'n, hum Unhe bula Le'n Varna Hamare Musalman hone ki khabar sun Kar Talhiya Unhe qatl Kara dega _,"


★_ Hazrat Adi bin Haatim Raziyllahu Anhu ne ye Baat maan li aur muqame Sanah me Aaye , Yaha'n Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Apne Lashkar ke Saath thehre hue they , Unhone aa Kar Kaha :- Aap Zara teen din tak thehre rahe'n , is dauraan bade bade jungju aa Kar Aapke Saath mil Jayenge _,"

Aur fir Yahi hua , Qabila Bani Tay ke Wo Afraad Jo Talhiya ke paas Bazakha chale gaye they waapas bula liye gaye , Fir Hazrat Adi Raziyllahu Anhu Unhe le Kar Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu ki khidmat me Haazir hue aur Unhone islam qubool Kar liya , Saath hi wo islami Lashkar me Shamil ho gaye, 


★_ is Tarah Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ki Fauj me Ek Hazaar Jungju logo Ka izaafa ho gaya, is Tarah Qabila Jadila bhi Hazrat Adi Raziyllahu Anhu ki Koshish se Musalman ho gaya aur Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu ki Fauj me Ek Hazaar Ka aur izaafa ho gaya, is per Hazrat Adi Raziyllahu Anhu ki khoob Tareef hui ,


★_ Is Waqie se pata chalta hai k Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu kis qadar basirat ke Maalik they , Ye unhi ki hidayat thi k Pehle Qabila Banu Tay ki taraf Jana, .. Sirf is hidayat ki vajah se do Hazaar Afraad na Sirf ye k Musalman ho gaye balki lashkar me Shamil bhi ho gaye , 

Ab Khaalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Bazakha ki taraf bade , Jaha'n Dushman muqable ki Zabardast Taiyariya'n Kar raha tha ,

 ╨─────────────────────❥     

 

 ╨─────────────────────❥

 *★_ Talhiya se muqabla _,*


★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne lashkar se Aage Jasoosi ki garz se Akaasa bin Mohsin aur Hazrat Saabit bin Arqam Ansari Raziyllahu Anhum Ko rawana Kiya tha , Raaste me in dono ko Talhiya Ka Bhai Hibaal mil gaya, inhone usko qatl Kar diya, Talhiya ko iski ittela mili to Wo Apne Saathiyo'n ko le Kar inki talaah me nikla aur in dono Hazraat ko Shaheed Kar diya, Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu jab us Muqaam per pahunche to Apne Dono Saathiyo'n ki laasho ko dekh Kar Sakht ranjida hue , Ab Aage Bazakha Ka Maidaan tha , Talhiya ke Saath us Waqt Ainiya bin Mohsin Fazari Apne Qabile ke Saat So bahaduro ke Saath tha , Unke alawa Qabila Banu Qais aur Banu Asad bhi uske Saath they ,


★_ Aakhir dono lashkar Aamne Saamne aa gaye, Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Pehle Unhe islam ki Dawat di, Wo na maane to Jung shuru kar di , Zabardast Jung hui , Talhiya us Waqt Apne Kheme me tha , Ainiya Uske paas aaya aur bola :- Jung ke bare me koi Wahi aayi hai ya Nahi ?

Jawab me Usne Kaha - Abhi koi Wahi nahi aayi , tum Jung Karo , Mai'n wahi Ka intezar Kar raha Hu'n _,"

Ainiya fir Maidane Jung ki taraf lot gaya , Apne Saathiyo'n ko ladata raha , baqi lashkar bhi Jung ki Aag me kood chuka tha , Musalman poore Josh v Jazbe se ladte rahe , Ese me Ainiya ek baar fir Talhiya ke paas Uske Kheme me Aaya , :- Haa'n ! Kya khabar hai , Jibraiyl Aaye ya nahi ?

"_Abhi nahi Aaye Jung jaari rakho _,"

Wo fir Maidane Jung me lot gaya , Aakhir Lashkar me Shikasht ke Asaar Zaahir hone lage , Wo pareshan ho Kar Teesri baar fir Talhiya ke kheme me Aaya aur Puchha - Wahi aayi ya Nahi ?

"_ Haa'n Jibraiyl Aaye they, Talhiya ne foran Kaha ,

"_Tab fir Unhone kya Kaha ?"

"_ Unhone Kaha hai , Ye ladayi Tumhare liye Chakki Ka paat Saabit hogi , Ainiya ke liye ye ek esa Waqia Hoga Jise wo Kabhi Faramosh nahi karega _,"


★_ Us Waqt Ainiya ko Ahsaas ho gaya k ye Shakhs Jhoota hai , Usne Maidane Jung me ja Kar Apne Qabile ke logo se Kaha - Ey Bani Fazara .. .. Talhiya jhoota hai , isliye bhaag chalo _,"

Apne Sardaar Ka Hukm Sunte hi wo bhaag nikle, Unke bhaag nikalte hi ladayi Ka rang badal gaya, Baqi murtad Pehle hi Hosla haar chuke they, Wo bhaagte hue Talhiya ke kheme tak Aaye aur usse Kaha - Ab kya Hukm hai ?

Wo foran Apne ghode per sawaar hua , Apni Bivi ko bhi Sawaar karaya , ghode ko Aid laga Kar Bola - Tum log bhi bhaag chalo _,"


★_ Is Tarah Murtad dum daba Kar bhaage , Maidaan Musalmano ke haath raha, Talhiya Waha'n se bhaag Kar sidha Shaam pahuncha , Kuchh dino baad use Maloom hua k Qabila Asad aur Gatfaan dono Musalman ho gaye Hai'n, To Wo bhi Musalman ho gaya , Wo Banu Kalb me aa Kar rehne laga , Kisi ne Uske bare me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko bataya , Unhone farmaya k Ab Uske khilaf Kuchh nahi Kiya ja Sakta, Wo Musalman ho gaya hai _,

Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki khilafat me ye Aapki khidmat me Haazir hua aur Aapke Haath per bayt ki ,

 ★_ Talhiya ki shikasht ke baad Qabila Banu Asad Banu Qais aur Banu Fazara ne islam qubool Kar liya, Qabila Banu Aamir Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ki khidmat me Haazir hue aur bole :- Ab hum Namaz bhi padhenge aur Zakaat bhi denge _,"

Goya un logo ne bhi ita'at qubool Kar li, 

Ainiya bin Mohsin Fazari aur Uske khaas Saathiyo'n ko giraftaar Kar Ke Madina Munavvara bhej diya gaya, Murtado ko ibratnaak saza di gayi, Fateh ki khabar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko bheji gayi,


★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Bazakha me Ek Maah tak thehre rahe , Udhar Maidane Jung se bhaage hue log Ek Aurat " Umme Zamal " ke gird Jama ho gaye, Umme Zamal ki Maa'n " Umme Qarfa " Aan Hazrat ﷺ ke zamane me Ek ladayi me giraftaar hone ke baad qatl Kar di gayi Thi, Umme Zamal Musalmano se Apni Maa'n Ka badla Lene per tuli hui thi, Usne Musalmano se inteqam ke Naam per logo ko Apne gird Jama Kar liya tha, Un Baagiyo ko le Kar ye Aurat Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ke muqable per nikli , us Waqt ye Apni Maa'n ke Ount per bethi thi aur bahut Fakhro Guroor Ka Aalam us per taari tha ,


★_ Hazrat Khalid ko Uske Kooch Ka ilm hua to khud Uske muqable per nikle , Jung shuru hui to Musalmano ne Umme Zamal ke Ount ko ghair liya , is Tarah Wo maari gayi , Uske ount ki Hifazat ke liye So Sawaar muqarrar they , Wo bhi is ladayi me maare gaye, is Fatah ki khabar bhi Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko bheji gayi, 


★_ Aas Paas Kuchh aur log bhi Musalmano ke khilaf Sazishe Kar rahe they, Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Unki Sazisho ko bhi Khatm Kiya , In ladaiyo'n me Jo bade bade Sardaar pakde gaye Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Unhe Madina Munavvara bhej diya, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne unke Saath narmi Ka Sulook Kiya , Yaha'n tak k Ainiya ne islam qubool Kar liya to use riha Kar diya gaya, Talhiya bhi Musalman ho gaya tha Use bhi Maaf Kar diya gaya,

: ★_ Aan Hazrat ﷺ ne Apne Aakhri Dino me Kuchh logo ko Zakaat wasool Karne ki garz se bheja tha , Ye log Qabila Banu Tameem me Mojood they aur Zakaat wasool Kar rahe they k Aan Hazrat ﷺ Ka inteqal ho gaya, Ab in Hazraat me Ek ikhtilaaf paida ho gaya , Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke baad Zakaat ki raqam Ka kya Kare'n, Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu ke paas Madina Munavvara bheje ya Yahi'n ke logo me Taqseem Kar de'n ,


★_ Us Qabile Banu tameem Ka Ek Shakhs Maalik bin Nuwerah tha , Wo unka Aham Aadmi tha , Usne Zakaat ki raqam ko Madina bhejne se inkaar Kar diya, Aan Hazrat ﷺ ne Jin logo ko bheja tha unka kehna tha k Zakaat ki raqam Madina Munavvara bheji jayegi , Bas is Baat per ye Shakhs Musalmano ke khilaf ho gaya ,


★_ Abhi ye ikhtilaafi Masla hal nahi hua tha k iraaq ke Ek ilaaqe Al Jazeera ki ek Aurat Sujah bint Haaris waha'n pahunch gayi , Ye Nabuwat Ka Daava Kar chuki thi, Uske Saath Ek bada Lashkar tha , Us Lashkar me iraaq ke Banu Tagallub Shamil they, Unke alawa Qabila Rabiya, Namr, Aayaad , aur Shibaan ke Tajurbe Kaar log Shamil they, Khud Sujah Banu Tameem se thi Yani Jis Qabile Ka Maalik bin Nuwerah tha, Sujah Ka Talluq Banu Tameem ke Saath Saath Banu Tagallub se bhi tha aur ye sab log iysaai they , Ab Chunki Isaaiyo aur Yahoodiyo'n ko islam se Dushmani thi isliye ye chalak Aurat un logo ko islam ke khilaf ubhaar Kar le aayi thi, Ye Aurat Pehle se hi Moqe ki Talash me thi , Jo'nhi Usne Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ki khabar suni Apna lashkar le Kar Madina ki taraf chal padi , Kaha jata hai k iraan ke Kuchh log bhi Uske Saath they , 


★_ Ab ye sidhi Maalik bin Nuwerah ke paas pahunchi thi , Waha'n Pehle hi Zakaat ki raqam ke maamle me ikhtilaaf ho chuka tha, Lihaza Maalik bin Nuwerah Apne Qabile ke logo ke Saath Sujah ke lashkar me Shamil ho gaya , Dono Ek ho gaye, Maalik bin Nuwerah ne Sujah ko mashwara diya k Abhi Madina Munavvara per hamle Ka Waqt nahi hai Balki abhi Aas Paas ke logo ko Apni Nabuwat ka qaa'il kare , Unhe Saath laye, is Tarah hamari Taaqat aur badh jayegi , Sujah ne Maalik bin Nuwerah Ka mashwara maan liya ,

 ╨─────────────────────❥


 *★_ Muselma Kazzaab Se Muqabla _,*


★_ Udhar Yamama ke Muselma Kazzaab ne bhi Nabuwat Ka Daava Kiya tha, Uske Saathiyo'n me Kasrat ese logo ki thi Jo use Jhoota samajhte they , Lekin Daulat aur iqtedaar ke liye Uske Saath Shamil ho gaye they, _ Sujaah ke bare me Muselma Kazzaab ko Maloom hua tha, wo fikrmand ho gaya, Usne Socha agar Sujaah mere Saath Shamil ho Jaye to Taaqat me Bahut Zyada izaafa ho Jayega , 


★_ Udhar Sujaah Ko bhi Yahi Baat Soojhi , Chunache dono me mulaqaat hui , is Tarah Dono ne Shadi kar li , Ab Sujaah ki Fauj bhi Muselma ki Fauj me Shamil ho gayi , Uske Jhande tale 40 Hazaar fauji Jama ho gaye, Shadi ke baad Sujaah Apni Qaum me Kuchh Zaroori mamlaat nimtane ke liye Chali gayi, Lekin fir waapas na aa saki , Ye baad me Musalman ho gayi Thi,


★_ Idhar Hazrat Khaalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Talhiya ko shikasht de chuke they, Unhe Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki taraf se hukm mila k Ab tum Yamama ja Kar Muselma Ka muqabla Karo _,


★_ Hazrat Khaalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ye Hukm pa Kar Aage badhe to Zakaat Ke Kuchh Munkireen Apni Apni Zakaat le Kar unki khidmat me Haazir hue aur Unhone naye sire se islam qubool Kar liya, Albatta Maalik bin Nuwerah na aaya, Wo abhi tak koi Faisla na Kar paya tha, Hazrat Khaalid bin Waleed Raziyllahu Anhu se muqabla Karne ki Himmat bhi usme nahi thi , Isliye Usne Apne logo ko muntasir Kar diya, Hazrat Khaalid bin Waleed Raziyllahu Anhu waha'n pahunche to Maidaan saaf tha , Unhone elaan Kar diya k Jo log Namaz padhe'n, Zakaat de'n, Unhe Kuchh na Kaha Jaye , Jo esa na Kare'n Unhe Saza di Jaye , islami Lashkar ke Kuchh log Jab Maalik bin Nuwerah ke ilaaqe me pahunche to unhone use qatl Kar diya Kyunki abhi tak Usne Zakaat Ke bare me koi elaan nahi Kiya tha, Na Zakaat le Kar Hazrat Khaalid Raziyllahu Anhu ke paas Aaya tha ,

 ★_ Ab islami Lashkar Yamama ki taraf bada , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Hazrat Khaalid Raziyllahu Anhu se Pehle ek lashkar Ikrama Raziyllahu Anhu ki qayadat me Muselma ki taraf rawana Kiya tha , Lekin Unhe hidayat Di thi k Ja Kar abhi hamla na Kare'n, Unki madad ke liye Aapne doosra lashkar Sar Habeel bin Hasna ki qayadat me rawana farmaya tha, 


★_ Hazrat Ikrama Raziyllahu Anhu ne jate hi Muselma ke lashkar per hamla Kar diya, Sar Habeel Raziyllahu Anhu ke Lashkar Ka intezar na Kiya , is Tarah Unhone Muselma ke lashkar ke Haatho shikasht Khayi , Kyunki Muselma to us Waqt tak bahut Taaqat Pakad chuka tha , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko ye ittela mili to Aap Hazrat Ikrama Raziyllahu Anhu per bahut Naraaz hue aur Unhe Ek doosre muhaaj per Jane Ka hukm farmaya aur Hazrat Sar Habeel Raziyllahu Anhu ko hukm diya k wahi'n thehre aur Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Ka intezar kare,


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Ka Hukm pa Kar Hazrat Khaalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Yamama ki taraf bade , Yaha'n tak k Hazrat Sar Habeel Raziyllahu Anhu aa mile , Muselma Kazzaab us Waqt Yamama ke ilaaqe Uqarba me dere daale hue tha, Tareekh ki Kitaabo me uski Fauj ki tadaad 40 Hazaar se 60 Hazaar tak likhi hai ,


★_ Aakhir dono lashkar Ek doosre ki taraf bade , Zabardast Jung shuru ho gayi, Mo'rkheen ne Likha hai k islam me ye Sabse Pehli Shadeed Tareen ladayi thi aur isme Murtado ne Hairat angez had tak bahaduri dikhayi , Musalmano ko Pichhe hat te dekh kar unka hausla aur bad gaya , lekin jald hi Musalmano ne khud ko sambhal liya , Ab Jung ghamasaan hone lagi , Hazrat Khaalid Raziyllahu Anhu ne Apni Fauj ko Hukm diya - Har dasta alag alag ho Kar lade ,


★_Muselma ko Uske Muhafizo ne Charo taraf se ghair rakha tha aur Wo Poori Tarah uski Hifazat Kar rahe they, Us Waqt Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Mehsoos Kar liya k jab tak Muselma aur Uska Hifazati dasta salamat hai , un logo ko shikasht nahi di ja Sakti, Chunache Unhone ek Zordaar naara lagaya aur us daste per toot pade , Unki Talwaar bijli ki tarah Harkat Kar rahi thi, aur Muselma bhaagne laga , Uske daste me se Kisi ne Kaha - ye kya Muselma to bhaag raha hai ... Tu to Humse Fateh aur Kaamraani Ka vaada karta tha, Wo Fateh Kaha'n hai ?

Ye sun Kar bhi Wo na ruka , khud to bhaag raha tha Lekin Apni Fauj se keh raha tha - Apne Hasab Nasab ke liye lado _,"

Uski Baat Ka un per Kaha'n asar hota Jabki khud bhaag raha tha, Natija ye k Fauj ke Paa'nv ukhad gaye , Unke Pichhe ek bahut bada Qila numa baag tha , Muselma aur Uski Saari Fauj us Baag me dakhil ho gayi aur Darwaza band Kar liya ,

[ ★_ Us Baag ke gird Bahut mazboot chaardiwari thi , Ye baag dar asal Muselma Ka qila tha , Muselma khud ko Yamama Ka Rehman Kehta tha , isi Tarah us Baag Ka Naam bhi "Rehman Baag " tha , Us qile numa baag Ka Darwaza band hone ke baad Musalmano Ka lashkar waha'n pahunchna , Unhone baag ko ghaire me le liya, Ab Sawal ye paida hua k Baag ke andar kis Tarah dakhil ho , Us Waqt Hazrat Bar'a bin Maalik Raziyllahu Anhu ne Ek Anokhi Tajveez pesh ki , Unhone Kaha :- Musalmano tum Yu'n Karo k mujhe mil Kar utha'o aur Jhoola de Kar qile ki diwaar se ouncha uchhal do , Mai'n Doosri Taraf ja Kar girunga aur in sha Allah Darwaza khol dunga _,"


★_ Musalmano ne Baar Baar inkaar Kiya aur Unhone israar Kiya , Aakhir majboor ho Kar Musalmano ne Unhe Apne nezo per uthaya aur Ouper ki taraf uchhal diya, Ye Diwaar ke Ouper se Hote hue baag ke andar ayn Darwaze ke paas gire, Waha'n Anginat Dushman mojood they, Ye Jo unke Ouper gire , Wo bad hawaas ho gaye, Unhone khayal Kiya k na Jane un per kya Bala aa giri , Lihaza ghabra Kar idhar udhar ho gaye, Hazrat Bar'a bin Maalik Raziyllahu Anhu ke liye itna moqa hi kaafi tha , Unhone foran uth Kar Darwaza khol diya, Musalman baag ke andar dakhil ho gaye, is Tarah Ek Baar fir ghamasaan ki Jung chhid gayi , laasho ke baar lag gaye ,


★_ Ese me Hazrat Wehshi Raziyllahu Anhu ne dam dikhaya, Ye Hazrat Juber bin Mut'am Raziyllahu Anhu ke Gulaam they , Gazwa Uhad me inke Haatho Aan Hazrat ﷺ ke Chacha Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu Shaheed hue they, Uske baad ye Musalman ho gaye they, Ye neze Fai'nkne me bahut Maahir they aur Apni Saari maharat se Kaam le Kar inhone taak Kar Hazrat Hamza Raziyllahu Anhu ko neza maara tha , Aaj usi maharat se Kaam le Kar inhone Muselma per neza Fai'nka, Us waar se Muselma Jahannam Raseed ho gaya aur Uske Lashkar me bhag dad mach gayi , Wo Sar per Paanv Rakh Kar bhaage , 


★_ Hazrat Khaalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Maidane Jung Ka muayna Kiya aur laasho ke dher me padi Muselma ki laash ko dekh Kar itminan Zaahir Kiya , Us Roz se us Baag Ka Naam " Maut Ka Baag " mash'hoor ho gaya, Muselma ke lashkar ke das Hazaar se zyada Aadmi maare gaye Jabki Musalmano me se barah so Shaheed hue ,


★_  Murtado ke Saath jitni ladaiya'n ladi gayi ye un sab me badi aur sakht Jung thi , is Jung me bade bade namoor Sahaba Shaheed hue , Lekin Chunki Muselma us Waqt islam Ka Sabse bada Dushman tha aur Uske khilaf ye Faisla kun Jung thi , isliye us Jung ke baad Musalmano ke qadam Jaziratul Arab me jam gaye,

 ★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Jo 11 lashkar Tarteeb diye they , Unme se ek lashkar Ka Salaar Hazrat Ala bin Hazrami Raziyllahu Anhu ko muqarrar Kiya tha, Unhe Aapne Behrain ki taraf rawana farmaya tha, Behrain iraani Hukumat Ka ilaaqa tha , Ye ek Registani ilaaqa tha , Aan Hazrat ﷺ ne Apni Zindgi me Behrain ke Sardaar Manzar bin Saadi ko khat ke zariye islam ki Dawat di thi , Us Dawat ke Natije me Manzar aur Behrain ke Safar Muqaam Hijr Ka governor Marzaban Musalman ho gaye they, Unke Saath Jitne Qabile Abaad they , Un Sabne bhi islam qubool Kar liya tha, Ye Waqia 8 Hijri Ka hai , 


★_ Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke foran baad Manzar bin Saadi Ka bhi inteqal ho gaya, Ab doosre logo ki dekha dekhi Behrain ke log bhi islam se fir gaye , Waha'n Ek Sahabi Hazrat Jarood bin Basar Raziyllahu Anhu they , Ye Kuchh muddat Aan Hazrat ﷺ ki Sohbat me rahe they, Unhone Qabila Abde Qais ko fir se islam qubool Kar Lene ki Dawat di to Abde Qais ne islam qubool Kar liya, baqi log Banu Bakar vagera murtad hi rahe ,Yahi vajah thi k Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Hazrat Ala bin Hazrami Raziyllahu Anhu ko unki taraf rawana farmaya,


★_ Ye un Dino ki Baat hai jab Hazrat Khaalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Yamama ki Jung se Faarig hue they, Hazrat Ala bin Hazrami Raziyllahu Anhu Apne Lashkar ko liye Ek Sehra se guzar rahe they k Shaam ho gayi, Unhone wahi'n theharne Ka program banaya Taki Raat ke Waqt Sehra me Raasta na Bhool Jaye'n,  Ab waha'n Ajeeb ittefaaq hua , Jin Ounto'n per khane pine Ka Samaan lada hya tha , wo bidak Kar bhaag nikle aur Musalmano ke paas khane pine ko Kuchh na raha, Ab to lashkar bahut pareshan hua , Sehra me khuraak na ho to Jaan per ban jati hai, Unhe Apni maut Ka Yaqeen sa ho gaya, Ek doosre ko wasiyate Karne lage , Taaham Hazrat Ala bin Hazrami Raziyllahu Anhu ne Unhe Tasalli di aur farmaya :- "_ Ey logo ! Kya tum Allah Ke Raaste me nahi ho , Yaqeen Karo Allah tum jese logo ko ruswa aur Zaleel nahi karega _,"


★_ Islami Fauj jab Subeh ki Namaz se Faarig hui to door se Unhe Pani ki chamak Nazar aayi , Registan me jab esi chamak Nazar aaye to Yahi khayal Kiya jata hai k waha'n Pani hai , Lekin waha'n Jane per pata chalta hai k Ret ki chamak thi Pani ki nahi , unhone bhi Yahi khayal Kiya , Taaham Fauj ke har Awwal daste ne aage ja Kar dekhne Ka Faisla Kiya , Waha'n pahunche to Wo Pani hi tha , Ab to sab ke sab bahut Khush hue , Sab ne Pani piya, gisl Kiya aur Apne Mashkizo me bhar liya , Suraj Zara Buland hua to ount bhi idhar udhar se unke paas aa gaye, Musalmano ki Khushi ki inteha na rahi , Ab lashkar taza dam ho Kar Aage rawana hua aur Behrain ke Muqaam per pahunch gaya,

 ★_Behrain Ki Fauj Ke Salaar Ka Naam " Mut'am bin Juber " tha , Behrain ke Lashkar ki tadaad bahut zyada thi , Ek Raat us lashkar me shorgul ki Awaaz sunayi di , Hazrat Ala bin Hazrami Raziyllahu Anhu ne malumaat haasil Karne Ke liye Apne Chand Fauji rawana kiye , Unhone aa Kar bataya k iraani Sipahi Sharaab pi Kar Nashe me shor macha rahe Hai'n, Ye Sunte hi Hazrat Ala Raziyllahu Anhu Apni Fauj le Kar un per toot pade, Behrain Ka lashkar bad hawaas ho gaya, Bahut se qatl hue , Be shumaar giraftaar hue aur bahut se bhaag nikle , Mut'am bhi maara gaya , Bhaagne wale Kashtiyo me sawaar ho Kar Daaren pahunch gaye, 


★_ Daaren Ek Jazira tha , Yaha'n iysaai Abaad they , Hazrat Ala Raziyllahu Anhu ne unka Pichha Karna chaha lekin Musalmano ke paas Kashtiya nahi thi , Tab Hazrat Ala bin Hazrami Raziyllahu Anhu ne Apne Mujahideen se Kaha -, "_Musalmano ! Kuchh Khof na Karo , Jis Allah ne Tumhari khushki me madad ki hai , Wohi Samandar me bhi Tumhari madad karega _,"


★_ in Alfaz ke baad Tamaam Lashkar ne Allah se Dua ki , Nihayat Aajizi se gidgidaye aur Apne ghode , Khachchar, Ount Yaha'n tak k gadhe tak Samandar me daal diye , is Tarah islami Lashkar ne Samandar Paar Kar liya aur Jazira Daaren ke Saahil per pahunch gaye, Allama Iqbal ne Shayad ese hi Kisi moqe ke liye ye Shayr Kaha tha :-

*"_ Dast to Dast Dariya bhi na chhode Humne ,*

*"_ Behre Zilmaat me dauda diye ghode Humne _,*


★_ Ab Yaha'n bhaagne walo ko bhi Kisi aur taraf se bhaagne Ka Raasta nahi tha , Isliye Wo Ek Baar fir Musalmano ke muqable me jam gaye, Aakhir Musalmano ko Fateh hui , Is Jung me behad maale ganimat Haath Aaya , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko Fatah ki Khush khabri Ka Paigaam pahuncha diya gaya,


★_ Nata'ij ke aitbaar se ye Jung Yamama ki Jung se zyada aham thi , iski vajah ye thi k Yamama me Sirf Ek qaum se Jung thi , Jabki Behrain Chunki Khaleej Faaras per waqe tha aur Iraan ki Hukumat ke maathat tha , isliye ye Jung Kisi ek qaum se nahi thi , bahut si Qaume yaha thi , un logo me Yahoodi , iysaai, Aatish Parast bhi they  , is Jung Ka ye Natija nikla k iraaq ki Fateh ki Raah hamwaar ho gayi,

 ╨─────────────────────❥


 ╨─────────────────────❥

★_ Iraaq Ki Taraf islami Lashkar_,*


★_Hazrar Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Mukammal tor per Murtado ke khilaf Kamyaabi haasil Kar chuke to Aapne Bairooni Dushmano ki taraf Tavajjoh di , Us Waqt Do badi taaqate Rom aur iraan islam ki Dushman thi, Rom ke log iysaai they Jabki iraani log Aag ko poojte they , Ye Majoosi kehlate they , Us Waqt Poora Shaam Romi Hukumat me Shamil tha aur iraaq iraani Hukumat Ka hissa tha , in dono Hukumato ki Sarhade Arab me mil Jati thi , Ye Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu hi ki Himmat aur Jurr'at thi k Ek hi Waqt me in dono ke khilaf Kaarwayi shuru ki , 


★_ Iraaniyi ko Apni Taaqat per bahut naaz tha , Unka khayal tha k Unhe koi shikasht nahi de Sakta, Musalmano ko to Wo Kuchh samajhte hi nahi they, Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne Apni Zindgi ke Aakhir hisse me Aas paas ke mulko ke Badshaaho ko khutoot me zariye islam Ka Paigaam bheja tha , Ek khat Aapne Iraan ke Badshaah" Khusro Parvez " ko bhi irsaal farmaya tha, 


★_ Us Bad Bakht ne Aap ﷺ Ka khat padhe bager faad diya tha aur Gusse me aa Kar Yaman ke governor ko ye ye Paigaam bheja tha :- Jis Shakhs me mujhe ye khat Likha hai, Use giraftaar Kar Ke mere paas bhej do _,"

Jab Huzoor Nabi Kareem ﷺ ko ye ittela mili k Usne Aapka khat tukde tukde Kar diya hai to irshad farmaya :- Allah Uske Mulk ko bhi tukde tukde Kar dega _,"


★_ Fir hua ye k Khusro Parvez ko Uske bete ne Hukumat ke lalach me qatl Kar diya, Uske baad iraani Aapas me ladne lage , unki Sarhado per Arab Qabile Abaad they ,  Ye un per bhi zulm aur zyadtiya Karte they, Jab Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Murtado ke Fitne ko kuchalne me Kamyaab ho gaye to Hazrat Musna bin Haarisa unki khidmat me Haazir hue, Unhone khalifa e Rasool ki Iraan ke Halaat bataye , Jo zulm v sitam Wo Tod rahe they uski Tafsilaat batayi aur Khud Unhone Iraan ke khilaf ho Kaarwayi ab tak ki thi Unki tafseel bhi sunayi aur Aakhir me madad ki darkhwast ki ,


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Ka iraada Pehle hi ye tha k islam Dushman taaqato ke khilaf ladayi shuru ki Jaye Chunache Aapne Hazrat Musna bin Haarisa se farmaya :- Tum waapas jao aur Sarhad ke qareeb Abaad saare Arab Qabilo ko Apne Saath milane ki Koshish Karo , Hum Tumhari madad ke liye jald fauj bhej rahe Hai'n _,"

: ★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ko hukm bheja :- Foran iraaq ki taraf rawana ho jao aur Musna ko Saath mila Kar Iraan ke zalim Majoosiyo ke khilaf ladayi shuru karo _," 

Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu us Waqt Yamama me they , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ka Hukm milte hi wo das Hazaar Muhajireen ke Saath iraaq ki taraf bade ,Ye Waqia 12 Hijri Ka hai , 


★_ is moqe per Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ko ye hidayaat di :- 

1_ Iraaq ki sarzameen per pahunch Kar logo ki diljoi Kare'n, Allah ki taraf Unhe Dawat de'n, Agar us Dawat ko qubool Kar Le'n to Theek Varna unse jizya talab Kare'n, Jizya dene se bhi inkaar kare'n to fir unse Jung Kare'n,

2_ Jo log Saath Jane ke liye Taiyaar na ho un per jabar na Kare'n, 

3_ Jo log murtad ho gaye they Lekin fir Musalman ho gaye, Unse Kisi qism ki madad talab na Kare'n,

4_ Jo Musalman paas se guzre Unhe Saath Mila Le'n, 

5_ Apni Jung Ka Agaaz "Ubla " se Kare'n ,


★_ ye Aakhir hum Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne isliye diya tha k us zamane me Shaahe Iraan Ka Saara Jungi Samaan Ubla me Mojood tha , Goya uski Fauji chhawni thi , Ye Shehar Bandargaah bhi tha , Iske zariye Arab aur Hindustan ke darmiyaan tijarati Talluqaat qaa'im they ,


★_ Islami lashkar iraaq ki taraf bada , Us Waqt iraaq Ka governor " Hurmuz " Iraan ke bahut bade Pehalwano me Shamil tha , ye Bahut zalim bhi tha , Uske zulm se tang aa Kar Hazrat Musna Raziyllahu Anhu ne iraani Sarhado per gorilla Kaarwayi shuru ki thi ,

: ★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu iraaq ki Hudood me dakhil hue to Hazrat Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu Aath Hazaar Fauj ke Saath unse aa mile , Ab Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu ne Fauj ko Teen hisso me Taqseem Kiya , Ek hisse Ka Sardaar Hazrat Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu ko muqarrar Kiya , Doosre hisse Ka Salaar Hazrat Adi bin Haatim Taa'i Raziyllahu Anhu ko muqarrar Kiya aur Teesra hissa khud Apne Paas rakha , Sabse Aage Hazrat Musna Raziyllahu Anhu Ka lashkar rawana hua, Uske do din baad Hazrat Adi bin Haatim Raziyllahu Anhu Ka aur Teen din baad Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu Ka lashkar rawana hua , 


★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Hurmuz ke Naam Ek khat bhi Likha , Jisme farmaya :- Tu islam le aa , Mehfooz rahega , Varna jizya Ada Kar , Ye bhi Manzoor nahi to Jung ke liye Taiyaar ho ja , Mai'n Teri taraf un logo ko le Aaya Hu'n Jo Maut Ko itna Mehboob rakhte Hai'n Jitna Tum Zindgi Ko _,"


★_ Hurmuz ko khat Mila , Saath hi use Musalmani fauj ki Kaarwayi ki ittelaat mili to Usne Iraan ke Badshaah Yazdgard ko ye Tamaam Halaat likh bheje , Fir Apna lashkar le Kar Tezi se Huzer ke Muqaam ki taraf bada , Waha'n pahunch Kar Usne Pani ke paas Padaav daal diya, Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu Ka lashkar waha'n pahunchna to unhe ye pareshan kun khabar mili k Hurmuz ne Pani per Qabza Kar liya aur Hamare paas Pani nahi hai , 


★_ Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu ne Apne lashkar ke Saath mil Kar Allah se Dua ki , Bas fir Kya tha Baarish shuru ho gayi aur Jal thal ho gaya, Dono Fauje Aamne Saamne hui ,Zabardast Jung hui, Musalmano ko Fateh hui, Hurmuz maara gaya, Hurmuz ke maare jate hi iraani Hosla haar bethe, Wo bhaag khade hue aur Dariya e Faraat ke bade pul per pahunch Kar dam liya , Us Muqaam per baad me Shehar Basra Abaad hua , Be tahash maale ganimat Haath Aaya, Unme Ek Haathi bhi tha , Madina Munavvara ke logo ne Zindgi me Kabhi Haathi Nahi dekha tha , Ye unke liye Ajeeb Jaanwar tha ,

: ★_ Is Jung se Faarig ho Kar Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Hira ki taraf badhe , Ye Khaleej Faaras aur Mada'in ke darmiyaan waqe hai, Udhar Yazdgard ko iraaniyo ki ibratnaak shikasht ki khabar mili to usne ek lashkar rawana Kiya , fir uski madad ke liye Uske Pichhe ek aur Lashkar rawana Kiya , Unhone Raaste me milne wale Qaba'il ko bhi Saath mila liya , is Tarah un Dono Lashkaro me Musalmano ke khilaf bahut se iysaai Shamil ho gaye, Un sabne mil kar " Dalja " ke Muqaam per Padaav daala, Dalja Dariya Dajla aur Faraat ke milne ki Jagah per waqe tha ,


★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ko iraaniyo ki taiyariyo ki ittela mili to poore Saazo Samaan ke Saath rawana hue, Ye Jung Asaan nahi thi , Aakhir Jung shuru hui aur islami Lashkar ko Fateh hui, 


★_ Jung ke baad Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne us ilaaqe ke logo ke Saath Bahut naram Sulook Kiya, Un sabko Amaan de di,


★_ Us Waqt iraani Hukumat ki taraf se Hira Ka governor Aazaziya tha , Use islami Lashkar ki Aamad Ka pata Chala to Apna lashkar le Kar Aage bada , Saath hi Usne Apne bete ko hukm diya - islami Lashkar Dariya Paar Kar Ke is Taraf aayega tum Dariya Ka Pani kaat do _,"

 ★_ Is Tarah Dariya Ka Pani khushk hota Chala gaya aur islami Lashkar ki Kashtiya Zameen se lag gayi , Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu Apna ek dasta le Kar Kashtiyo se utre aur Aazaziya ke ladke ko maar qatl Kar diya, 


★_Ese me Aazaziya ko Iraan ke Shehanshah ke Marne ki khabar Mili , Uske Haath Paa'nv fool gaye , Wo bhaag nikla , Hira ke log qila band ho gaye, Islami lashkar ne Hira Shehar ko ghair liya, Aakhir Hira ke log Suleh per majboor ho gaye,  Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Ek Laakh Nabbe Hazaar Dirham salana Jizya per Suleh ki , aur Fateh ki khabar Madina Munavvara bhej di ,


★_ Aan Hazrat ﷺ ko Apni Zindgi ek Baar ittela mili thi k Domta Aljundul me Dushmano ki ek badi fauj Jama ho rahi hai, Yaha'n Akidar naami Shakhs ko Qaisar ki taraf se Domta Aljundul Ka Haakim muqarrar Kiya gaya tha, Ye ek Arbi Sardaar tha , Aan Hazrat ﷺ ne 9 Hijri maah Shawwal me Uske muqable me Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ko rawana farmaya tha , 


★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu use giraftaar Kar Ke Madina Munavvara le Aaye they aur Ye Musalman ho gaya tha , Aan Hazrat ﷺ ne use Domta Aljundul ke logo per muqarrar farma diya tha , Aap ﷺ ki wafaat ke baad ye murtad ho gaya tha,


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Uski taraf Hazrat Ayaaz bin Ganam Raziyllahu Anhu ko rawana farmaya tha , Yaha'n tak k us muhim me Ek Saal guzar gaya lekin Fateh na Kar sake , Ab Unhone Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ko Madad ka Paigaam bheja, Paigaam milte hi Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu ne Domta Aljundul Ka rukh Kiya , Unhone Teeen so Meel Ka Safar Das din se bhi Kam muddat me Tay Kiya aur Domta Aljundul pahunch gaye,

: ★_ Akeer Chunki Pehle hi Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ki Jungi Salahiyato se waqif tha , isliye Usne doosre Qaba'il ko Suleh Ka mashwara diya, Unhone inkaar Kiya to ye unse alag ho Kar Nikal bhaaga, Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ko Uske faraar hone ki ittela mili to Uske Pichhe ek Dasta rawana farmaya, Mujahideen use giraftaar Kar laye ,


★_ Ab Dushman Fauj ki Sipahsalaari Jodi naami Sardaar ke Haath me thi , Usne Apni Fauj ko do Hisso me Taqseem Kiya , Ek Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu ki taraf bada to doosra Hazrat Ayaaz bin Ganam Raziyllahu Anhu ki taraf , Zabardast Jung hui , Aakhir Musalmano ko fatah hui ,


★_ Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu abhi Domta Aljundul hi me they k iraaq ke Arab Qaba'il ne Unki gair mojoodgi me bagawat Kar di , Shikasht khaye hue log bhi unke Saath Shamil ho gaye, Hazrat Qa'aqa'a Raziyllahu Anhu Agarche waha'n mojood they Lekin unke Saath bahut thodi Fauj thi isliye Unhone Jung Karna munasib na samjha aur Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu Ka intezar Karne lage , Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu bhi ittela milte hi us taraf rawana hue, Hira Pahunch Kar Unhone bagawat Karne walo ke khilaf Hazrat Qa'aqa'a Raziyllahu Anhu ko Fauj de Kar bheja , Us Jung me iraani Sardaar Rozmahar aur Roziya maare gaye, Bagawat ki Aag bhadkane me ye Dono aage they , Ye Jung Haseed Ke Muqaam per ladi gayi,


★_ Us Muqaam se bhaag Kar iraani khanafas ke Muqaam per Jama hue , islami Lashkar us taraf bada to ye log waha'n se bhaag nikle , Ab ye log Ek aur muqaam per Jama ho gaye, Us Jagah Ka Sardaar Hazeel tha , islami fauj ne un sab per Kaarwayi shuru Kar di,


★_ Ye Saara Fitna barpa Karne wale log dar asal banu Tuglub ke they, Yahi log Doosro ko Jung per ubhaar rahe they, isliye Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Unhe sabaq sikhane Ka pakka iraada Kar liya , Unhone Hazrat Qa'aqa'a aur Abu Laila Raziyllahu Anhum Ko Fauj de Kar Mukhtalif Raasto per Banu Tuglub ki taraf rawana Kiya aur Dono ko Hamle Ka Waqt bata diya , Fir khud bhi rawana hue, is Tarah Banu Tuglub per ek hi Waqt me Achanak teen taraf se hamla Kiya gaya , Is Achanak hamle se Wo Ek doosre ko khabar bhi na de sake ,


★_ in Tamaam Muhimaat se Faarig ho Kar Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Faraaz Ka rukh Kiya , Ye Romiyo Ka ilaaqa tha , Romiyo ne islami Lashkar ko dekha to unke gusse ki had na rahi ,

 ╨─────────────────────❥


 ╨─────────────────────❥

*Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Ki Kaamyaabi _,*


★_ Faraaz iraaq aur Shaam Ki Sarhad per Dariya Faraat ke Shumali hisse me waqe tha, Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu iraaq ki bagawat kuchalne ke baad Faraaz pahunche, Aapne islami Lashkar ko Dariya Faraat ke kinaare Padaav daalne Ka Hukm diya, Ab Ramzan Ka Mahina shuru ho gaya, Ye Poora Mahina unka wahi'n guzra , Fir 15 Ziqa'adah 12 Hijri tak dono Fauje isi Tarah Aamne Saamne padi rahi , Dono Faujo ke darmiyaan me Dariya haa'il tha ,


★_ Aakhir Romiyo ne pehal ki aur Dariya Paar Kar Ke us taraf aa gaye aur Jung shuru ho gayi, Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne lashkar ko Hukm diya- Dushman ki Fauj muntashir na hone de'n balki Unhe chaaro taraf se ghair Kar lado _,"

_ Musalmano ne is per Amal Kiya aur Romiyo aur iysaaiyo ke Azeem Lashkar darham barham ho gaye, 


★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ki in Jungo Ka Zamana Muharram 12 Hijri se Safar 13 Hijri tak ek Saal Ek Maah banta hai , is Mukhtasar muddat me Unke Haath per jo Futuhaat hui Wo Jungo ki tareekh me Ek Ajooba Waqia hai ,in Jungo ka daayra Khaleej Faaras se le Kar Shaam Ki Sarhad tak wasi hai , 


★_ Fir ye Junge Kisi Ek Qaum se nahi ladi Balki unme iraani , Romi aur Arab ke Qaba'il sab hi Shamil they, Har moqe per tadaad aur Aslahe ki zyadti Unhe haasil thi aur islami Lashkar ki tadaad har moqe per unke muqable per bahut Kam rahi aur Saazo Samaan bhi Bahut Kam tha , in Tamaam Baato ke bavjood Allah Ta'ala ne Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ke Haath per islami Lashkar ko Azeemush shaan Futuhaat se nawaza , In Tamaam morko me Kisi ek me bhi Musalmano ko shikasht nahi hui ,

★_ Lutf ki Baat ye Hai k Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Kisi ilaaqe ko Fatah Karte hi aage nahi chal dete they Balki Fatah kiye hue ilaaqo Ka ba qaaida bandobast Karte they, waha'n Ka Haakim muqarrar farmate they, Logo ke Saath Nihayat Achcha Sulook Kiya jata tha, islami Talimaat se Unhe roshnaash karaya jata tha aur Wo islami Talimaat aur Khoobiyo ke bahut jald dildada ho Jaye they , 


★_ is lihaaz se Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Duniya ke naqshe per ek Azeem Taren Faateh ban Kar Saamne Aaye aur Un jesi misaal for koi pesh na Kar saka , Musalmano per Allah ne Futuhaat ke Darwaze Khol diye they , Unke hosle Bahut Buland they , Unke liye Shaam ki taraf badna Bahut Asaan ho gaya tha , 


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Qaisar ke khilaf Elaane Jung se Pehle Uske Naam Ek khat rawana farmaya, Us khat me zariye Aapne Sabse Pehle use islam qubool Karne ki Dawat di , Us Paigaam ke Jawab me Qaisar Rom ne Islam qubool Karne se inkaar Kiya ,  


★_ Tamaam Taiyariya'n Mukammal ho gayi to Fauj ki rawangi Ka Waqt aa gaya , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne saare Lashkar ko Chaar hisso me Taqseem farmaya, Un Chaar Lashkaro me Sabse bada Lashkar Hazrat Yazeed bin Abi Sufiyaan Raziyllahu Anhu ka tha , Doosre lashkar ke Salaar Hazrat Abu Ubaida bin Jarrah Raziyllahu Anhu they , Teesra lashkar Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu Ka aur Chotha lashkar Hazrat Sharjeel Raziyllahu Anhu Ka tha,




 ╨─────────────────────❥

*★_ Shaam Ki Muhimaat _,*


★_Hazrar Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Yazeed bin Abi Sufiyaan Raziyllahu Anhu Ko Hukm farmaya- Tum Tabook ke Raaste Damishq pahuncho _,"

Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu ko Filisteen ke liye muqarrar Kiya, Unhe Hukm diya - Tum iyla ke Raaste Filisteen jao _,

Baqi lashkar bhi Aapne unke Pichhe hi rawana farma diye , 


★_ Shaam ke Muhaaz per 12 Hazaar Ka Lashkar kaafi nahi ho Sakta tha , Qaisar ne Bahut bade paimane per Taiyariya'n ki thi , isliye Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne bhi islami Lashkar ke aage pichhe lashkar rawana Karne Ka Silsila jari rakha , Is Tarah islami Lashkar ki tadaad 30 Hazaar ho gayi ,


★_is Islami lashkar se Pehle Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko Qaisar ki Taiyariyo'n ke Silsile me ittelaat mili to Aapne Hazrat Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu ko Tayma ki taraf rawana farmaya tha,Tayma Shaam ki sarhad per waqe tha , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Unhe rawana Karte Waqt ye hidayat di thi :- Tum waha'n pahunch Kar Aas Paas ke logo ko Saath milane ki Koshish Karo.. aur Jab tak Mera Hukm na pahunche , Us Waqt tak Jung na Karo _,"


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne dar asal Unhe Sarhad ki Hifazat ke liye pahunchaya tha k Qaisar ki taraf se hamla ho Jaye to rok thaam ki ja sake , Unhone Qaisar ki Faujo Ka itna bada ijtima dekha to Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko Tafsilaat likh bheji , Abhi islami Lashkar waha'n nahi pahuncha tha aur Hazrat Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu itne bade lashkar ko rok nahi sakte they , Chunache Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Hukm bheja - Aage bado Lekin Dushman se ladte Waqt andar tak na ghuste chale Jana ,Esa na ho k Dushman tumhe Pichhe se daba le _," Hazrat Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu ne is Hukm per Tavajjoh na di aur Josh me aage badte chale gaye ,


।★_ Romi Fauj Ka Afsar Bahaan tha ,Usne islami Lashkar ko badte dekha to foran Apne lashkar Ka rukh Tabdeel Kar diya, Ye uski Jungi chaal thi ,Hazrat Khalid bin Saied Raziyllahu Anhu aage badte chale gaye aur Bahaan ne Pichhe se unko ghair liya , Unke liye Pichhe hatna bhi Mumkin na raha , Maidane Jung se unke Paanv ukhad gaye , Maidane Jung se paspa ho gaye aur Madina Munavvara ke qareeb Ek Muqaam Zawaulmaruh per pahunch gaye, 


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko ye ittela mili to unhe bahut ranj pahuncha , Ye Waqia us Waqt pesh Aaya jab Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Tees Hazaar Ka Lashkar Sarhado ki taraf rawana farma diya tha , Chaaro Lashkar alag alag they lekin unke Salaaro ke Aapas me Raabte they , Aapas me mashwaro Ka Silsila barabar jaari tha , Qaisar ko in Charo Lashkaro Ka ilm ho chuka tha, Uske paas Fauj beshumaar thi isliye use Poori Tarah Yaqeen tha k Musalman Uska muqabla nahi Kar sakenge , 


★_ Taiyariyo'n Ke Silsile me Qaisar khud Hims Aaya , Ye Shehar Shaam ki bahut badi fauji Chhavni thi , Usne bhi Yaha'n pahunch Kar Apne Lashkar ke Chaar hisse kiye , Ek Lashkar Ka Salaar Apne Bhai ko muqarrar Kiya , us lashkar ki tadaad 90 Hazaar thi , Uske muqable me Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu Ka lashkar tha , Jinki tadaad Saade Saat Hazaar ke qareeb thi,


★_ Qaisar ke doosre lashkar ki tadaad 60 Hazaar thi, Uske muqable me Hazrat Abu Ubaida bin Jarrah Raziyllahu Anhu Ka lashkar tha , Jinki tadaad bhi Saade Saat Hazaar ke qareeb thi, Teesre lashkar ki tadaad 90 Hazaar thi, Ye lashkar Hazrat Yazeed bin Abi Sufiyaan Raziyllahu Anhu ke muqable me Aaya , Jinki tadaad bhi Saade Saat Hazaar thi, Qaisar ne Chotha lashkar Hazrat Sharjeel Raziyllahu Anhu ke muqable per bheja ,


★_ Musalmano ko Romiyo ki in Zabardast Taiyariyo'n Ka ilm hua aur Apni Kam tadaad Ka Andaza hua to fikrmand ho gaye, in Halaat ki tafseel Madina Munavvara bheji gayi , Waha'n se Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Ka Hukm Aaya :- Ab tum sab alag alag na lado , Balki Ek jagah Jama ho jao .. Yani Chaar ki bajaay Apna ek lashkar bana lo .. Apni Kam tadaad Ka gam Na Karo , Tum Allah Ke Deen ke madadgaar ho , Wo Zaroor Tumhari madad karega , Tum sab mil Kar Yarmook me Jama ho jao _,"


★_ Yarmook dar asal ek Dariya Ka Naam hai, Ye Dariya Joraan ke pahaado se nikalta hai , Yarmook Ka Dariya Jaha'n Urdun ke Dariya se milta hai , Waha'n se 30-40 meel ke Faasle per Waaqusa naami Muqaam hai , Ye Bahut wasi ilaaqa hai , Teen taraf se Pahaado se ghira hua hai , Qaisar ki Fauj ne isi Muqaam per Padaav daal diya tha , Musalman bhi Dariya Yarmook ko paar Kar Ke Romiyo ke muqabil pahunch gaye , Goya Ab Romi Teen taraf se Pahaado me ghire hue they ,aur Unke Saamne Jo Raasta tha waha'n islami Lashkar Padaav daal chuka tha ,is Tarah Romi Lashkar Pahaado ki is Vaadi me ghir Kar reh gaya, 


★_ Ye Qudrati Soorate Haal Dekh Kar Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu Khush hue aur farmaya :- Musalmano ! Tumhe mubarak ho .. Romi Lashkar ghaire me aa gaya _,"


★_ Dono Lashkar do Maah tak ek doosre ke Aamne Saamne pade rahe , is dauraan mamooli jhadpe Hoti rahe, Poori Tarah Jung shuru na ho saki ,Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko in Halaat ki khabar Mili to Aapne Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ko hukm bheja k iraaq me Hazrat Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu ko Apna qaaim Muqaam muqarrar Kar ke Yarmook pahunche , 


★_ Us Waqt Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Iraan ke Darul Hukumat Mada'in per hamle ki Taiyari Kar rahe they, Khalifa e Rasool Ka Hukm pa Kar Aap foran Yarmook ki taraf rawana ho gaye,


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ko Jo Hukm bheja Uske Alfaz ye they :- Tum rawana ho jao , Yaha'n tak k Yarmook me Jo Musalman Jama Hai'n unse ja milo , Kyu'nki Wo gamzada Hai'n aur Jab Tum waha'n pahunch jao to fir Lashkar ki Kamaan tum hi Sambhalo _,"


★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Poori islami fauj Ka jaayza liya aur uski Safbandi ki , Ek Ek daste ke paas khud gaye , unke Saamne Purjosh Taqreere ki , Is Jung me Musalman Aurte'n bhi Shamil thi , Unhe Mardo ki Safo ke Pichhe khada Kiya tha , Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu ne un Aurto'n se farmaya :- Agar Kuchh Musalman Maidaan Chhod Kar bhaage to unhe gairat dilana .. Sharminda Karna _,"


★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Zuhar ki Namaz ke baad Jung Shuru Karna Chahte they , Kyunki Aan Hazrat ﷺ Ka Yahi mamool tha , Lekin Romiyo ne Aage bad Kar un hamla Kar diya, Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne khud Apna ghoda aage badaya aur Hamla shuru Kiya, Poori islami fauj Ek Jaan ho Kar Aage badi aur is qadar Zabardast Jawabi hamla Kiya k Romiyo ke andar tak ghuste chale gaye , 


★_ Jung jaari rahi , Dono lashkar Jaan tod Kar ladte rahe , Aakhir Romiyo ke Paanv ukhad gaye, Wo Bad Hawaas ho Kar bhaage , Musalmano ne unka Pichha Kiya , Allahu Akbar ke naaro se Maidane Jung goonj utha , Fateh ki khabar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko bheji gayi, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Bahut Khush hue aur farmaya :- Tamaam Tareefe us Allah Ke liye Hai'n Jisne Musalmano ki madad ki aur Meri Aankho'n ko Fateh ki Khush khabri se Thanda Kar diya _," Ye waqia Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki wafaat se 24 din Pehle Ka Hai ,



 ╨─────────────────────❥

*★_ Siidiqe Akbar ki Jaa'naaheeni _,*


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke daur Ki Futuhaat Ka Silsila Yahi'n tak hai , Iske baad Jo Futuhaat hui Unka Talluq Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki khilafat se hai , 


★_Jab Siddiqe Akbar Raziyllahu Anhu ki Bimaari ki shiddat aayi to Aapke Saamne Sabse Aham masla ye tha k Khalifa kise muqarrar Kiya Jaye , is Silsile me mashware ke liye Aapne bade bade Sahaba ko bulaya aur Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke bare me Unki Raay Maloom ki , 


★_ Hazrat Talha bin Abdullah Raziyllahu Anhu Aaye to unhone Kaha - Ey Abu Bakar ! Aapko Maloom hai k Umar ke mizaaj me Sakhti hai , iske bavjood Aap Unhe Apna Jaa'naaheen bana rahe Hai'n, Kal Apne Parwardigaar ko kya Jawab denge ?

Us Waqt Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Lete hue they, Hazrat Talha Raziyllahu Anhu ki Zubaan se ye Alfaz sun Kar Aapko Gussa aa gaya, bole - mujhe bitha do , 


★_Logo ne Aapko bitha diya, Tab Aapne farmaya :- Kya mujhe mere Parwardigaar se darate ho , Mai'n Jab Apne Rab se milunga aur wo is Silsile me mujhse Sawal karega to Mai'n kahunga , Ey Allah ! Maine Tere Bando per ek ese Shakhs ko muqarrar Kiya hai Jo Behatreen hai _," 


★_ Fir Jab sab chale gaye to Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Hazrat Usman Raziyllahu anhu se farmaya - Umar ki Jaa'naaheeni Ka parwana likhe'n _," Wo Kalam Dawaat le Kar beth gaye to Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne farmaya :- Likho , Bismillahirrahman nirraheem ... Ye Wo Ahad Naama hai Jo Abu Bakar bin Abi Qahafa ne Musalmano ke liye likhwaya _,"

Abhi itna likhwaya tha k Aap per gashi taari ho gayi,


★_ Hazrat Usman Raziyllahu anhu ko Pehle se Maloom tha , Unhone socha agar behoshi Taveel ho gayi aur isi Aalam me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki wafaat ho gayi to ye parwana Na-Mukammal na reh Jaye aur mukl me koi Fitna na khada ho Jaye , Chunache khud hi likh diya :- Maine tum per Umar bin Khattab ko Khalifa muqarrar Kar diya hai aur Maine is maamle me Tumhari Khair khwahi me koi Kami nahi ki _,"


★_ itne  me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu hosh me aa gaye, Aapne Puchha - Kya Likha ? Unhone ibaarat padh Kar sunayi to Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Khush ho Kar bol uthe :- Allahu Akbar ! Allah tumhe jaza ata farmaye, Ab ye logo ke darmiyaan Suna do _,"


★_ Hazrat Usman Raziyllahu anhu ki Dawat per sab log Jama ho gaye, Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ne khalifa e Rasool ka Hukm padh Kar sunaya , Sabne is farmaan ko Khushi se qubool Kiya, itne me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu khud Chhat per Tashreef le Aaye aur farmaya :- Logo Maine Jis Shakhs ko khalifa muqarrar Kiya hai , Mera koi Rishtedar nahi hai ...Balki Umar hai ..Kya tum Unhe qubool Karte ho ?

Sabne ek Awaaz ho kar Kaha - Humne Suna aur ita'at ki _,"


★_ Iske baad Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko bulaya aur unhe Nasihat farmayi,  Nasihat ke baad farmaya - Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu ki madad ke liye sab kaam Chhod Kar Mazeed Fauj iraaq rawana Karna _," 

Fir Puchha - Jabse Mai'n khalifa bana Hu'n, Us Waqt se ab tak mujhe Kitna Wazifa Mila hai ? Hisaab Kar Ke Unhe bataya gaya- 6 Hazaar Dirham , Aapne farmaya - Meri Fala Zameen Farokht Kar Ke ye raqam Baitul Maal me Jama Karwa di Jaye _,"


★_ Uske baad farmaya - Mere khalifa banne ke baad se le Kar ab tak mere Maal me Kitna izafa hua hai ? Aapko bataya gaya - Ek jinsi Gulam hai Jo Bachcho ko khilaya hai aur Talwaare tez karta Hai, Ek ountni hai Jis per Pani laya jata hai, Ek Chaadar hai Jiski Qeemat Sawa Rupiya ke qareeb hai , Ye sun Kar irshad farmaya - Meri wafaat ke baad ye cheeze Khalifa e Waqt ko bhej di jaye_,"


★_ Jab ye cheeze Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki khidmat me pesh ki gayi to Wo ro pade ... Rote jate aur Kehte jate - Ey Abu Bakar ! Aap Apne Jaa'naaheeno ko Bahut Mushkil me mubtila Kar gaye, 


★_ Fir Aapne Apne Gharelu mamlaat ke zimmedar Hazrat Mu'iqeeb Raziyllahu Anhu se farmaya- Ey Mu'iqeeb ! Tum mere Ghar ke muntazim ho , bata'o Mera aur Tumhara kya hisaab hai ? Unhone Jawab diya- Mere 25 Dirham Aapke Zimme Hai'n, Wo Maine Aapko Maaf kiye _," ye sun kar farmaya - Chup raho , mere Tosha e Aakhirat me Qarz Shamil na Karo _," 

Fir Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha ko bulaya aur unhe Hukm farmaya- Mu'iqeeb ko 25 Dirham Ada Kar diye Jaye'n _,'


★_ Fir Aapne Hazrat Ayesha Raziyllahu Anha se Puchha - Rasulullah ﷺ ko kitne Kapdo me kafan diya gaya tha ? Aapko bataya gaya- Teen kapdo me , Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu us Waqt do fate Purane Kapde pehne hue they, Unki taraf ishara kar ke farmaya- bas to fir mere ye Do Kapde to Hai'n hi ... Teesra Kapda bazaar se Khareed kar mujhe Kafan de dena _, 

 Ye sun Kar Hazrat Ayesha Raziyllahu Anha ne arz Kiya- Abba Jaan ! Hum Aapke liye Teeno Naye Kapde Khareed sakte Hai'n_," Aapne farmaya- Beti ! Naye Kapdo ko zarurat Murdo'n ki nisbat Zindo'n ko zyada hai ...?


★_ Ab Apni Bivi Hazrat Ama Raziyllahu Anha ko Wasiyat ki - Mujhe Gusl tum dena _," Wo ro Kar Kehne lagi - Ye mujhse nahi Hoga , Aapne farmaya- Tumhara Beta Aburrahmaan Tumhari madad karega _,"

Iske baad Puchha - Aaj Konsa Din hai ? Logo ne bataya- Aaj Peer Ka din hai _," Aapne Puchha - Rasulullah ﷺ ki wafaat konse din hui thi ? Aapko bataya gaya - Peer ke din, Aapne farmaya - Tab Mai'n Ummeed karta Hu'n k Meri wafaat bhi Aaj hi ke din hogi ... Meri Qabr Rasulullah ﷺ ki Qabr ke Saath banayi Jaye _,"


★_ Uske baad farmaya - Mere khalifa banne ke baad se le Kar ab tak mere Maal me Kitna izafa hua hai ? Aapko bataya gaya - Ek jinsi Gulam hai Jo Bachcho ko khilata hai aur Talwaare tez karta Hai, Ek ountni hai Jis per Pani laya jata hai, Ek Chaadar hai Jiski Qeemat Sawa Rupiya ke qareeb hai , Ye sun Kar irshad farmaya - Meri wafaat ke baad ye cheeze Khalifa e Waqt ko bhej di jaye_,"


★_ Jab ye cheeze Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki khidmat me pesh ki gayi to Wo ro pade ... Rote jate aur Kehte jate - Ey Abu Bakar ! Aap Apne Jaa'naaheeno ko Bahut Mushkil me mubtila Kar gaye, 


★_ Fir Aapne Apne Gharelu mamlaat ke zimmedar Hazrat Mu'iqeeb Raziyllahu Anhu se farmaya- Ey Mu'iqeeb ! Tum mere Ghar ke muntazim ho , bata'o Mera aur Tumhara kya hisaab hai ? Unhone Jawab diya- Mere 25 Dirham Aapke Zimme Hai'n, Wo Maine Aapko Maaf kiye _," ye sun kar farmaya - Chup raho , mere Tosha e Aakhirat me Qarz Shamil na Karo _," 

Fir Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha ko bulaya aur unhe Hukm farmaya- Mu'iqeeb ko 25 Dirham Ada Kar diye Jaye'n _,'


★_ Fir Aapne Hazrat Ayesha Raziyllahu Anha se Puchha - Rasulullah ﷺ ko kitne Kapdo me kafan diya gaya tha ? Aapko bataya gaya- Teen kapdo me , Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu us Waqt do fate Purane Kapde pehne hue they, Unki taraf ishara kar ke farmaya- bas to fir mere ye Do Kapde to Hai'n hi ... Teesra Kapda bazaar se Khareed kar mujhe Kafan de dena _, 

 Ye sun Kar Hazrat Ayesha Raziyllahu Anha ne arz Kiya- Abba Jaan ! Hum Aapke liye Teeno Naye Kapde Khareed sakte Hai'n_," Aapne farmaya- Beti ! Naye Kapdo ko zarurat Murdo'n ki nisbat Zindo'n ko zyada hai ...?


★_ Ab Apni Bivi Hazrat Asma Raziyllahu Anha ko Wasiyat ki - Mujhe Gusl tum dena _," Wo ro Kar Kehne lagi - Ye mujhse nahi Hoga , Aapne farmaya- Tumhara Beta Aburrahmaan Tumhari madad karega _,"

Iske baad Puchha - Aaj Konsa Din hai ? Logo ne bataya- Aaj Peer Ka din hai _," Aapne Puchha - Rasulullah ﷺ ki wafaat konse din hui thi ? Aapko bataya gaya - Peer ke din,  Aapne farmaya - Tab Mai'n Ummeed karta Hu'n k Meri wafaat bhi Aaj hi ke din hogi ... Meri Qabr Rasulullah ﷺ ki Qabr ke Saath banayi Jaye _,"


★_ in Vasiyato se Faarig hue hi they k Aap per Maut ke Asaar taari ho gaye, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha us Waqt Hasrat bhare Andaz me ye Shayr padhne lagi :- Wo Pur Noor Soorat Jiske Chehre Ka Sadqa de Kar Baadlo se Baarish maangi gayi ... Jo Yateemo per Meharban ho aur Faqeero ki Panaah ho _,"

_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke kaano me ye Shayr pada to cho'nk uthe ... Kyunki ye Shayr Shayar ne Aan Hazrat ﷺ ki shaan me Kaha tha, Chunache foran bole :- Ye Shaan To Sirf Rasulullah ﷺ ke liye thi _,"


★_Aakhir maut ki ghadi Aa gayi , Ek bijli aayi aur Khilafat v Amarat ka ye Aaftaab Duniya se ruposh ho gaya, Aapke Aakhri Alfaz ye they :- Ey Rab Tu mujhe Musalman utha aur Saleheen ke Saath Mera Hashr Kar _,"


★_ Aapki Wafaat 22 Jamadius Saani 13 Hijri ba Roz Peer Magrib aur ishaa ke darmiyaan hui , Raat hi me Aapki Ahliya Hazrat Asma bint Umes Raziyllahu Anha ne Wasiyat ke mutabiq Aapko gusl diya, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Namaze Janaza padhayi , Hazrat Umar , Hazrat Usman , Hazrat Talha aur Abdurrahman bin Abi Bakar Raziyllahu Anhum Qabr me utre aur Aapko Nabi Kareem ﷺ ki Qabr ke Pehlu me Lita diya , is Tarah k Aapka Sar Huzoor Aqdasﷺ ke Shaana Mubarak tak Aa gaya tha , Allahu Akbar ! Marne ke baad bhi Huzoor ﷺ ka ye Ahatraam k Aapke barabar nahi Lete _,


★_ Wafaat ke Waqt Aapki Umar 63 Baras thi , Aan Hazrat ﷺ ki Umar bhi wafaat ke Waqt 63 Baras thi , Aapki khilafat ki muddat 2 Baras 3 Mahine aur 11 din hai , Raziyllahu Anhu wa Arzahu ,


*

 ╨─────────────────────❥

*★_ Khilafate Siddiqi _,*


★_ Aan Hazrat ﷺ ke Parda farmane ke baad Musalmano ke liye Siddiqe Akbar Raziyllahu Anhu ki wafaat pehla bada Sadma tha , Is Sadme me Madina Munavvara ke Daro Diwaar hila kar rakh diye , Ek larza chha gaya, Poore Jazira e Arab per gam taari ho gaya , Jo Shakhs Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke Jitna qareeb tha , utna hi zyada gamzada tha , Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne Aapki Wafaat ki khabar sunne per ye Alfaz farmaye :- Aaj Khilafate Nabuwat Khatm ho gayi _,"


★_ Fir waha'n Aaye Jaha'n Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki Mayyat mojood thi , Us Makaan ke Darwaze per khade ho Kar Aapne farmaya :- Ey Abu Bakar ! Allah tum per Raham kare , Aap Nabi Akram ﷺ ke Mehboob they aur Qabile Aitmaad Saathi they , Aap ﷺ ke Musheer aur Raazdaar they , Aap Sabse Pehle Islam laye , Aap Sabse zyada mukhlis momin they , Aap Ka Yaqeen Sabse zyada mazboot tha , 


★_ Aap Sabse zyada Allah Ka Khof Karne wale they , Allah Ke Deen ke bare me Sabse zyada beniyaaz Yani Doosro ki Parwaah Karne wale Nahi they , Rasulullah ﷺ ke Nazdeek Sabse zyada ba Barkat Saath dene me un Sabse Behtar , Fazilat me Sabse badh Kar , pesh qadmiyo me Sabse afzal aur bar tar darje me Sabse ounche aur qurb ke aitbaar se Aan Hazrat ﷺ se Sabse zyada qareeb , Aan Hazrat ﷺ ke Sabse zyada mushaba , Seerat aur Adaat me Sabse Meharban aur fazal me Sabse Zyada ounche martabe wale aur Huzoor ﷺ ke Nazdeek Sabse zyada mukarram aur Mu'atmad they , Pas Allah jal shanhu islam aur Apne Rasool ki taraf se Aapko jaza e Khayr ata farmaye .,


★_ Aapne Aan Hazrat ﷺ ki tasdeeq us Waqt ki jab Logo ne Aap ﷺ ko Jhutlaya , isliye Allah jal shanhu ne Aapko Apne Kalaam me Siddiq farmaya , Yani Yu'n farmaya , Sachchayi lane wale Muhammad ﷺ hai'n aur Unki Tasdeeq Karne wale ( Abu Bakar) Hai'n , ( Ye Surah Zumar ki Aayat 33 ki taraf ishara hai ) , Aapne Huzoor ﷺ ke Saath us Waqt Gamkhwari ki jab logo ne Aap ﷺ se bukhl Kiya , Aap nagawaar Baato me Aap ﷺ ke Saath us Waqt bhi khade rahe Jab log Aap ﷺ se alag ho gaye, Aapne Sakhtiyo me bhi Huzoor ﷺ ke Saath Sohbat aur Rafaqat ka Haq Ada Kiya ...,


★_( Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne Aage farmaya ) Aap Saani Isneen ( 2 ) aur Rafeeqe gaar they aur Aap per Sakinat Naazil hui , Aap Hijrat me Aan Hazrat ﷺ ke Saathi they , Aap Aan Hazrat ﷺ ke ese khalifa bane k Khilafat Ka Haq Ada Kar diya, Us Waqt Khalifa bane Jab log murtad ho gaye , Aapne Khalifa Ka Wo Haq Ada Kiya Jo Kisi paigambar ke khalifa ne nahi Kiya tha , Aapne us Waqt Chusti dikhayi Jabki doosre sust ho gaye, Aapne us Waqt jung ki jab doosre Aajiz aa gaye, Aapne Rasulullah ﷺ ke Raaste Ko us Waqt thaame rakha jab log Pichhe hat gaye they,


★_ Aap bila naza aur bila tafaruqa ( bager jhagde ke ) khalifa e Haq they, Agarche is Baat se munafiqo ko Gussa tha , Kuffaar ko Rani tha aur Haasid karahat me mubtila they aur Baagiyo ko Gussa tha ( Yani log Aapki khilafat se Raazi nahi they ) Aap us Waqt Haq Baat per ade rahe jab log Buzdil ho gaye, Aap us Waqt Saabit qadam rahe jab log dagmaga gaye , Aap Allah Ta'ala ke Noor ( Qur'an ) ko liye aage badte rahe Yaha'n tak k Aapki Pervi me logo ne hidayat payi , 


★_ Aapki Awaaz un Sabse nichi thi Magar Aapka martaba Sabse ouncha tha , Aapka Kalam Sabse zyada sanjeeda tha , Aapki Guftgu Sabse zyada Durust thi , Aap Sabse zyada Khamosh rehne wale they , Shuja'at me Sabse Zyada badhe hue they, Ma'mlaat ko Sabse zyada samajhne wale they ... Aur Allah ki qasam ! Deen Ke Sabse Pehle Sardaar they , Aap Momineen ke liye Raheem Baap they aur Jis cheez Ka logo ko Andaza bhi nahi tha , Wo Unhone payi , Aap Kafiro ke liye Aag ki maanind they, Momineen ke liye Rehmat aur Unsiyat aur Panaah ki Jagah they , Aap Kisi se Zara nahi dare , Pahaad ki maanind they, 


★_ Rasulullah ﷺ ne Aapke bare me farmaya k Aap Dosti aur Maali khidmaat ke aitbaar se Sabse zyada Ahsaan Karne wale they , Aap Jismani aitbaar se Agarche Kamzor they Lekin Allah Ke maamle me qavi they , Aapme Aajizi Bahut thi , Aapme koi Laalach nahi tha , na maamlaat me Aap Kisi ki ri'ayat Karte they, Taaqatwaro se kamzoro ko unka Haq dilate they , Aap Duniya se us Waqt rukhsat hue Jabki Raasta hamwaar ho gaya , Mushkil Asaan ho gayi, Mukhalifeen Shikasht kha gaye , Deen mazboot ho gaya, Musalman Saabit qadam ho gaye, Aapne Apne baad me Aane walo ko thaka diya , Aap Khayr se Kamyaab hue ,


★_ ( Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne Aage farmaya ) _, Aap isse Buland v Baala Hai'n k Aap per roya peeta Jaye , Aapki maut ko to Asmaan me Mehsoos Kiya ja raha Hai, Hum Sab Allah Ke Liye Hai'n, Usi ki taraf lot Kar Jane wale Hai'n, Allah ki qaza per hum Raazi hai'n , Humne Apna maamla Uske Supurd Kar diya hai, Allah ki qasam Rasulullah ﷺ ki wafaat ke baad Aapki maut jesa koi haadsa Musalmano per Kabhi naazil nahi hua , Aap Deen ki izzat , jaa'e Panaah aur Hifazat gaah they , Allah Aapko Apne Nabi se mila de aur Hume Aapke baad Aapke Ajar se Mehroom aur Gumrah na kare , inna lillahi wa inna ilaihi Raji'uon _,"

*( Ref- Riyazul Nazra, Kanzul Ummaal , Musnad Ahmad bin Hanbal )*


★_ Jab tak Hazrat Ali Raziyllahu Anhu Ka ye Khutba jaari raha, Log Sunte rahe , Jab Aap Khamosh hue to log be tahasha rone lage , Khoob roye , fir Sabne Kaha :- Ey Ali ! Aapne sach Kaha _,"


★_ Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ke is Khutbe me un logo ke liye badi ibrat Ka Samaan Hai Jo Hazrat Ali Raziyllahu Anhu aur Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke darmiyaan ikhtilaaf Ka jhoota prchaar Karte Hai'n, Kya koi Apne Mukhalif ke bare me itni Zabardast Tareefi baate keh Sakta Hai ?


★_ Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha ne is moqe per farmaya :- Ey Abba Jaan ! Allah Aapko sabz v shadaab rakhe , Aapko Aapki Behtreen Koshisho Ka badla de , Rasulullah ﷺ ki wafaat ke baad Aapki Wafaat haadsa Sabse bada haadsa hai , Lekin Allah ki Kitaab Hume Sabr Ka Hukm Karti hai, Ye Sabr hi Aapki Wafaat Ka Sabse Achchha badla hai aur Mai'n Ummeed Karti Hu'n, Wo mujhe mere Sabr Ka badla dega , Ey Abba Jaan ! Aap Apne beti Ka Aakhri Salam qubool kijiye, Jisne Aapki Zindgi me Kabhi Aapke Saath per khaash Nahi rakhi aur wafaat per Wo Ro peet nahi rahi _,"


।*★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu andar aaye to Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki na'ash ko mukhatib Kar Ke farmaya :-

"_ Ey Khalifa e Rasool ! Aapne Duniya se rukhsat ho Kar Qaum ko sakht Mashakkat me daal diya , Aapka Saamna karna to dar kinaar , Ab to koi esa bhi nahi k Aapki gird hi ko pahunch sake _,"


★_ Ye Sab to is Duniya me ho raha tha aur Doosri Duniya me us Waqt kya ho raha tha , iska Andaza lagane ke liye Khud Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki rivayat ye Hai k Maine Ek martaba Nabi Kareem ﷺ ke Saamne Qur'an kareem ki ye Aayat tilawat ki -

"_ ( Tarjuma) _ Ey nafse mutma'ina Tu Apne Parwardigaar ki taraf ha'nsi Khushi Chali aa _," ( Surah Al Fajr )

Fir arz Kiya - Ey Allah ke Rasool ! Ye bhi kya khoob irshade Baari Ta'ala Hai _,"

Aan Hazrat ﷺ ne irshad farmaya :- 

"_ Haa'n ! Ey Abu Bakar ! Jab tumhe maut aayegi to us Waqt Jibraiyl Ameem Tumse Yahi kahenge _,"


 ╨─────────────────────❥

*★_ Jama Qur'an aur Fidk Ka Masla _,*


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke daur me Jo Sabse Aham Kaam hua , Wo hai Qurane Kareem Ka Jama Kiya Jana, iski tafseel bhi bahut Dilchasp hai , Junge Yamama me Taqriban 1200 Musalman Shaheed ho gaye they, Ye Jung Muselma Kazzaab Yani Nabuwat Ka jhoota Daava Karne wale Ke khilaf ladi gayi Thi, Usme 39 bade Sahaba aur Hafize Qur'an bhi Shamil they,


★_ Ye Sirf ek Jung ki tadaad hai , Doosri Jungo me bhi Sahaba kiraam aur Qurane Kareem ke Hafiz Shaheed hue, is Baat ko shiddat se Mehsoos karte hue Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki khidmat me Haazir hue aur Arz Kiya :- Ey khulfa e Rasool ! Yamama ki Jung me Qur'an ke Qari aur Hafiz bahut Shaheed hue Hai'n, isliye Agar Aapne Qur'an Jama Karne Ka intezam na Kiya to dar hai Qur'an Ka bada hissa zaaya na ho Jaye _,"


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Ka Apna ek Khaas mizaaj tha aur Wo ye tha k Jo Kaam Huzoor ﷺ ne nahi Kiya , Wo esa koi Kaam nahi karte they.... Apne is mizaaj ki buniyad per Unhone farmaya :- Jis Kaam ko Aan Hazrat ﷺ ne nahi farmaya, Mai'n Wo Kaam kese Kar Sakta Hu'n _," 

Hazrat Umar Raziyllahu Anhu bole - Ye Kaam to Khayr Ka Hai _," Unhone Baar Kaha , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu bhi Baar Wohi Jawab dete rahe , 


★_ Aakhir Allah Ta'ala ne Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke Dil me ye Baat daali k ye Kaam Kiya Jaye , Us Waqt Aapne Hazrat Zaid bin Saabit Raziyllahu Anhu ko bulaya aur unse farmaya :- Tum Jawan aur Samajhdaar Aadmi ho , Rasulullah ﷺ ke Kaatib Wahi they , isliye Qur'an ko ek jagah Jama Kar do _,"


★_ Hazrat Zaid bin Saabit Raziyllahu Anhu farmate hai'n :- Agar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu mujhe Ek pahaad ko uski Jagah se hatane Ka Hukm dete to Wo Hukm bhi is Hukm se Mushkil Mehsoos na hota _," Yani Unhone is Kaam ko Pahaad Apni Jagah hatane se bhi Zyada Mushkil Mehsoos Kiya , 

fir arz Kiya:- Ey Khalifa e Rasool ! Mai'n Wo Kaam kese Kar Sakta Hu'n Jo Nabi Kareem ﷺ ne nahi Kiya _," 


★_ Aakhir Allah Ta'ala ne unke Dil me bhi ye Baat daali k ye Kaam Karo , is Tarah Unhone is Mushkil tareen Kaam ko shuru Kiya ,


★_ Qurane Kareem ke Mukhtalif hisse Kapdo per , Khajoor ki chhalo per , Patto per likhe hue Mukhtalif Sahaba kiraam ke paas mojood they,  Qur'an Majeed bahut se Sahaba Ke Seeno me bhi mojood tha , Unhone Poori ahatyaat se Tamaam Ayaat Jama ki, Jis Jiske Paas Ayaat mehfooz thi haasil ki aur ye Saara Qur'an Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke paas Jama karwaya ,


★_ is Tarah Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke daur me Qur'an Majeed Jama hua , Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne Ek martaba farmaya :- Allah Abu Bakar per Rehmate Naazil kare , Qur'an Majeed Jama Karane me unka Ajar Sabse zyada hai , Kyunki is Kaam ki pehal Unhone hi ki _,"


★_ Yaha'n is Baat ki Wazahat bhi zaruri hai k Soorto ke Naam Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki Zindgi mubarak me hi Tay ho gaye they, Is Baat ke Saboot me Bahut se Sahi Ahadees Hai'n,  Baaz Awqaat Ka'i Ka'i Ayaat Ek Saath Naazil hui thi , Aap ﷺ us Waqt Hukm dete they k Fala Aayat Fala Soorat me Likho , Fala Aayat Fala Soorat me Likho , 


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke baad Qur'an Majeed Ka Kaam Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ke daur me hua , Aapne Qurane Kareem ke bahut SE nuskhe Taiyaar karaye .. Yani Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke daur me Wohi Ek nuskha tha Jo Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Jama karaya tha , Jab Bahut Sare nuskhe Taiyaar Kar liye gaye to Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ne Ek Ek nuskha Ek Ek soobe me bhej diya, 


★_ Matlab ye k buniyadi tor per Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Jo Qur'an Majeed Jama karaya tha Usse Majeed nuskhe Taiyaar karaye gaye they, Fir ye nuskhe Mulk ke doosre Soobo me bheje gaye they, iske Saath hi Qurane Kareem ki Saat Qira'ate ( Lehje ) muqarrar kiye gaye, is Tarah Ummat ko Saat Qira'ato per Jama Kar diya gaya, Ye Wo Qira'ate thi Jo Aan Hazrat ﷺ se Saabit thi , Unke alawa Jo Qira'ate thi unko tark Kar diya gaya, 

Jab tak Duniya me Qurane Majeed Padhne wale Kalmago mojood Hai'n, Wo is Azeem Kaam per Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke Ahsanmand rahenge .. ye unka esa karnaama hai ,


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Ka Ek mamool ye tha k jab koi masla Unhe pesh aata to Wo Allah ki Kitaab se Faisla Karte , Usme Masle Ka hal na milta to Sunnate Rasool me Masle Ka hal talaah Karte , Agar isme bhi Kamyaabi na Hoti to Sahaba ko Jama Kar ke unse puchhte k kya tumme se Kisi Ko iske mutalliq Aan Hazrat ﷺ Ka koi Amal Maloom hai , Agar Kisi Ko Maloom hota to bata deta , Hazrat Abu Bakar Raziyllahu Anhu Allah Ka shukr Ada karte , Agar na milta to fir Sahaba se is bare me mashwara liya jata , Jis Baat per sabka ittefaaq ho jata usko qubool Kar Lete ... Aur usi ke mutabiq Karne Ka Hukm farmate,


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke daur me Ek masla Fidk Ka pesh Aaya, is bare me Aaj tak Kuchh Hazraat baate Karte Hai'n, Lihaza munasib hoga k Yaha'n is masle per bhi Roshni daal di Jaye Taki Baat zehno me waaze ho Jaye ,


★_ Khaybar ki Fateh ke baad Aan Hazrat ﷺ ne Uske maale ganimat ko 36 hisso me Taqseem Kiya , Unme 18 hisse Apne liye Khaas farma liye aur baqi hisse doosre logo me Taqseem kar diye , is Kaam se Faarig hone ke baad Aan Hazrat ﷺ ne Hazrat Mahisa bin Masoud Ansari Raziyllahu Anhu ko Dawate islam ki garz se Fidk ki taraf rawana Kiya, Fidk Ke logo Ka Sardaar Yoosha bin Noon tha , Un logo ne Suleh ki darkhwast ki aur nisf Zameen deni Manzoor ki ,Aan Hazrat ﷺ ne isko qubool farma liya ,


★_ Us Waqt ye Zameen Aap ﷺ ke liye Makhsoos ho gayi, Aap ﷺ usse haasil Aamdani se guzar Basar Karte they, Ummahatul Momineen Raziyllahu Anhum Ka kharcha isse Poora hota tha, 


★_ Aap ﷺ ki wafaat ke baad Hazrat Fatima Raziyllahu Anha aur Hazrat Abbaas Raziyllahu Anhu Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki khidmat me Haazir hue, Unhone Khaybar aur Fidk ki zameeno me Aan Hazrat ﷺ Ka Jo hissa tha , Uski Virasat Ka mutalba Kiya, Yani ye Kaha k ye Unka Haq hai , Lekin Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne farmaya :- Maine Aan Hazrat ﷺ ko farmate hue Suna Hai k Hamara Koi Vaaris nahi Hoga , Jo Kuchh hum Chhod Jayenge, Sadqa Hoga _,"


★_ Iske alawa Aapne unse ye bhi farmaya :- Aan Hazrat ﷺ Jis Kaam ko Jis Tarah Karte they, Mai'n use usi Tarah karunga _,"

Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke baad ye maamla fir Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki khidmat me pesh Kiya , Unhone farmaya - Khaybar aur Fidk ki Jaaydaade Dono Rasulullah ﷺ ke liye waqf thi , Ye Dono Aap ﷺ ki zarurato ke liye thi , Ab unka maamla Uske Supurd hai Jo Khalifa ho aur ye Dono Aaj tak usi Haalat aur Haisiyat me hai'n _,"


★_ Yani Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Ka Faisla bhi Wohi tha Jo Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Ka tha, Apni Khilafat ke Dauraan Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko ye haq haasil tha k Khaybar aur Fidk ki Aamdani ko Apni Zaat aur Apne Baal Bachcho ke liye Makhsoos Kar Le'n , Lekin Unhone usme se Kuchh na liya ... Aapko Aan Hazrat ﷺ Ka behad Ahatraam tha aur Ahle Bayt se Muhabbat thi , Lihaza Unhone us Aamdani se unhi ke Akhrajaat poore kiye , Apne ya Apni Aulaad ke liye Kuchh nahi liya ,


★_ Aan Hazrat ﷺ usme se Saal Bhar Ka kharch Apne aur Ahlo Ayaal ke liye liya Karte they, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne bhi ye mamool barqaraar rakha , Aapne ye Farmaya - Jiske Haath me Meri Jaan hai Uski qasam ! Rasulullah ﷺ ke rishtedar mujhe isse zyada Azeez Hai'n k Apne Rishtedaro ke Saath Silah Rehmi Karu'n _,"


★_ Aapne Ye bhi farmaya :- Maine Suna hai, Nabi Ka koi Vaaris nahi hota , Lekin iske bavjood Mai'n un sabki Sar Parasti karunga Jinki Sar Parasti Aan Hazrat ﷺ Kiya Karte they aur un sab per Kharch karunga Jin per Aap kharch Kiya Karte they _,"

*( Musnad Ahmed bin Hanbal, Sahi Bukhari-2, Kitabul Fara'iz )*


★_ Baaz log kehte Hai'n k Hazrat Fatima Raziyllahu Anha Fidk ke Masle per Aakhir Umar tak Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu se Naraaz hi rahi , is bare me Allama ibne Kaseer ne Likha hai k esi Rivayaat Sahi nahi hai _," 

*( Al bidaya An Nihaya -5/ 289)*


★_ Is Sare Jhagde ko Hazrat Umar bin Abdul Azeez Reh. Ki ye rivayat Khatm Karti hai , Aap farmate hai'n :- 

"_ Fidk Rasulullah ﷺ ke liye tha , Aap usme kharch Karte they aur usi me se Banu Haashim ke Fuqra per Kharch Karte they, Unki bin Byaahi Ladkiyo ke Nikaah Karte they, Hazrat Fatima Raziyllahu Anha ne Ek martaba darkhwast ki k Aap Fidk unke Naam Kar de'n to Aap ﷺ ne inkaar farma diya _,"

*( Sunan Abi Daowd Kitabul Fara'iz )*


★_ Matlab ye k Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne to Wohi Kiya tha Jo Khud Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne Kiya tha , Is per aitraaz kesa ?


★_ Ab is waqie me ye aitraaz Kiya jata hai k Agar Hazrat Fatima Raziyllahu Anha ko Abu Bakar Siddiq Raziyllahu ki Zubaan se irshade Nabvi sunne ke baad itminan ho gaya tha to kya Vajah hai k Hazrat Ali aur Hazrat Abbaas Raziyllahu Anhum fir bhi mutalba Karte rahe ? is Sawal Ka Jawab ye hai k Jaha'n tak Vaaris Ka maamla hai, in dono Hazraat ko bhi itminan tha aur is Baat Ka Yaqeen aa gaya tha k Khaybar aur Fidk waqf Hai'n, Lekin Wo is Baat ko zaruri khayal nahi karte they k Khulfa e Waqt hi Uska mutawalli ho , Unka Zaati khayal tha k Aan Hazrat ﷺ ke qareebi Rishtedaro ko Uska mutawalli Hona Chahiye, iske alawa in Hazraat Ka khayal ye bhi tha k Ye Sirf Aan Hazrat ﷺ ke qareebi Rishtedaro ke liye waqf Hai'n, na k Tamaam Musalmano ke liye , ( Ye wazahat Bukhari me milti hai )


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Apne Daur me is Shart per in dono Hazraat ko Uska mutawalli muqarrar farma diya tha, Fir Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ke daur me bhi Fidk Musalmano ke liye waqf tha , ( Ye Abu Daowd ki rivayat hai )



*"_Seerate Siddiqi Ke Chand Goshe _,*


★_ Is Duniya me Ambiya Alaihissalam ke baad Aapka Muqaam hai , Aap Mardo me Sabse Pehle islam laye , Aan Hazrat ﷺ ne Apne Aakhri Ayyam me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko Namaz padhane Ka Hukm diya aur Baar Baar Yahi Hukm farmaya k Abu Bakar hi Namaz padhaye'n, 


★_ Islam me Sabse Pehle Masjid Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne banayi , Aap Sabse Pehle Khalifa e Rasool Hai'n, Aan Hazrat ﷺ ne Sabse Pehle Aapko Dozakh se nijaat ki Khush khabri sunayi , Aap Khalifa e Rasool to they hi , Aashiqe Rasool bhi they, Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke baad Aapne elaan farmaya - Jis Shakhs se Aan Hazrat ﷺ ne koi vaada Kiya ho ya jis kisi Ka Aapke Zimme koi Qarz ho, Wo mere paas Aaye _,"


★_ Aap Nabi Kareem ﷺ ke Rishtedaro Ka Apne Rishtedaro se zyada khayal rakhte they, Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ko abhi Chand din hi guzre they k Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Namaz padha Kar Masjid se nikle to Hazrat Hasan Raziyllahu Anhu Nazar Aa gaye , Wo Bachcho ke Saath khel rahe they, Aapne Unhe Kandhe per utha liya ,


★_ Ek martaba Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Maale ganimat Madina Munavvara bheja , Usme Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke liye ek Khoobsurat Tohfa bhi bheja , Aapne Wo Tohfa Hazrat Husain bin Ali Raziyllahu Anhu ko de diya, Aap Khud hi unka khayal nahi rakhte they Balki Doosro se bhi Kehte they, Unka khayal rakho ,


★_ Hazrat Fatima Raziyllahu Anha ki wafaat hui to Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Hazrat Ali Raziyllahu Anhu se Kaha - Chaliye ! Namaze Janaza padhaye'n _,"

Is per Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne arz Kiya - Aap Rasulullah ﷺ ke Khalifa Hai'n , Aage badhe'n aur Namaz Padhaye'n _," 

Chunache Hazrat Fatima Raziyllahu Anha ki Namaze Janaza Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne padhayi , ( Kanzul Ummaal )


★_ Zamana Jaahiliyat me bhi Aapne Kabhi Kisi But ko Sajda nahi Kiya , Jabki us Waqt Har taraf But Parasti ho rahi thi, Aap Had Darje Pakiza they aur Paak Maal hi Khana Pasand Karte they, Aapka Gulaam Ek martaba khane ki koi cheez laya , Aap us Waqt Bhook ki Haalat me they , Lihaza us cheez ko kha liya , Lekin foran hi khayal Aaya k Gulaam se is bare me Puchha hi nahi,


★_ Gulaam ne bataya k Mai'n Jhoot moot Chhaad Fook Ka Kaam karta tha.. Kisi zamane me us jhaad Fook ke bahane Kisi Ko shifa ho gayi thi .. Uska mu'awza Unhone Aaj diya tha, Ye Sunna tha k Aapne us cheez ko Qay Kar diya, Qay Karne me Aapne Bahut Takleef uthayi Kyunki Bhook ki Haalat me Haalat me Khayi hui Thodi si cheez Asaani se qay nahi ho Sakti thi , Aapne Pani pi Kar usko qay Kiya aur farmaya - Isko nikaalne me Meri Jaan Chali Jati to bhi isko nikaal Kar rehta _,"


★_ Aapne Ek martaba Ek Chidiya ko Darakht per Bethe dekha to farmaya - Waah Waah ! Ey Chidiya, Tu Kitni Khush Naseeb Hai .. Ey kaash .. Mai'n bhi tujh jesa hota , Tu Darakht per bethti hai Phal khati hai aur fir ud Jati Hai.. tujhse na koi hisaab hai aur na Kitaab _,"

Kabhi farmate - Kaash Mai'n Ek Tinka hota ,  

Kabhi farmate - Kaash Mai'n Ek Darakht hota , Ount mere paas se guzarta aur Mujhe chaba jata _,"


★_ Yani esa Allah Ke Khof se farmate , Kisi Ko Kabhi Sakht lafz keh bethte to jab tak usse Maafi naaang Lete Chain se na bethte ,Ek martaba Apni Zubaan Pakad Kar kheench rahe they, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne esa Karte hue dekh liya , Hairaan ho Kar Puchha - Ye Aap kya Kar rahe Hai'n ? Jawab me farmaya - isi Zubaan ne mujhe Tabaah Kiya hai _,"


★_ Ek martaba Aapne pine ke liye Pani maanga , Logo ne Pani me Shehad Mila Kar pesh Kar diya , Aapne pyaala moonh se lagaya to rone lage , Jo log paas mojood they Wo bhi rone lag gaye, .. thodi dayr tak rote rahe , Fir chup ho gaye, Lekin Kuchh hi dayr baad fir rone lage, Logo ne vajah puchhi to farmaya -

"_ Mai'n Ek din Aan Hazrat ﷺ ke Saath tha, Dekha k Aap ﷺ Kisi cheez ko dhutkaar rahe Hai'n, Maine Puchha - Ey Allah ke Rasool ! Aap kis cheez ko dhutkaar rahe Hai'n, Mujhe to Yaha'n koi cheez Nazar nahi aa rahi ..? Aan Hazrat ﷺ ne irshad farmaya, "_ Duniya mere Saamne Jism ki Haalat me aa gayi Thi, Maine usse Kaha k mere Saamne se hat ja , Lekin Wo fir aa gayi , aur Kehne lagi Aap mujhse Bach Kar Nikal Jaye'n to Nikal Jaye'n Lekin Aapke baad Jo log aayenge Wo Bach Kar nahi ja sakenge _,"

Ye Waqia Bayan Kar Ke Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne farmaya :- Us Waqt mujhe Yahi Baat Yaad aa gayi Thi ... Mujhe Mehsoos hua k Kahi'n ye mujhse chimat na Jaye ,


★_ Khalifa banne se Pehle Aap mohalle ki Bachchiyo ki Bakriyo'n Ka Doodh doh dete they, Aap khalifa ban gaye to Ek chhoti si ladki pareshan ho gayi k Ab uski Bakri Ka Doodh kon Doha karega , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu tak uski Baat pahunchi to usse farmaya - Mai'n Khalifa ban gaya to kya hua , Mai'n ab bhi Tumhari Bakriyo'n ka Doodh Doha karunga , Khilafat mujhe khidmate Khalq se baaz nahi rakh sakegi _,"


★_ Madina Munavvara me Ek Nabina Aurat thi , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko iske bare me pata Chala to unhone socha Subeh Savere ja Kar Uske Ghar ke Kaam Kar Aaya karenge, Lekin jab Aap Subeh Savere waha'n pahunche to dekha , Ghar ki safayi ho chuki thi aur Pani ke Bartan me pani bhara hua tha, Yaha'n tak k Baitul Khala ki safayi bhi ki gayi Thi, Yani koi Aa Kar unse Pehle ye sab kaam Kar gaya tha , 


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu doosre din us Waqt se Bhi Pehle us Ghar pahunch gaye Lekin us Roz bhi Saare Kaam ho chuke they, Ab to Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Bahut hairan hue , Aakhir ye kaun Shakhs Hai Jo itne moonh Andhere ye sab kaam Kar jata hai, Teesre Din Aap ibtedayi Raat hi se chhup Kar Beth gaye, Taki dekhe kaun aata hai ? Unki Hairat ki us Waqt inteha na rahi jab Aapne Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ko aate dekha,.. aur us Waqt Wo Musalmano ke Khalifa they ,


★_ Khilafat Milne se Pehle Aap Kapde ki tijarat Kiya Karte they, Khalifa bane to doosre din Kapde ke thaan Kandhe per rakh Kar Bazaar ki taraf chal pade, Raaste me Hazrat Umar aur Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhum mil gaye, Unhone hairan ho Kar Kaha :- Ey Khalifa e Rasool ! Aap Kaha'n ja rahe Hai'n ?

Aapne Jawab me farmaya - Bazaar ja raha Hu'n ,

Unhone arz Kiya - Ab Aap Musalmano ke Khalifa Hai'n, Ye Kaam karenge to khilafat Ka Kaam kese Kar sakenge , Hum Aapke liye Wazifa muqarrar Kar dete Hai'n_,"

Sahaba kiraam ne mashwara Kiya aur Aapka Wazifa muqarrar Kar diya, Ye Wazifa Ek Aam Aadmi Ke mutabiq tha,


★_ Koi Aapki Tareef karta to Dil me Kehte - Ey Allah ! Tu mujhe un logo ke khayalaat ke mutabiq bana de , Mere Gunaaho ko Maaf Kar de aur un logo ki beja Tareef per Meri Pakad na Kar _,"


★_ Aap Doosro Ka to mamooli se mamooli Kaam bhi Kar dete they, Lekin khud Doosro se Zara Kaam Lena bhi Pasand nahi karte they, 

Ount per sawaar ja rahe Hote aur ount ki nakel gir padti to use bitha Kar niche utarte aur Nakel uthate, Kisi Guzarne wale se ye na Kehte k Bhai Zara ye utha do , Log Aapse Kehte bhi k Aap itni zehmat kyu gawara Karte Hai'n, Yani Aap ount ko bithate Hai'n, fir cheez uthate Hai'n, Aap Humse keh diya kare , 

Iske Jawab me Aap farmate :- mere Habeeb Muhammad ﷺ ne mujhe Hukm diya hai k Mai'n logo se Kisi cheez Ka Sawal na Karu'n _,"


╨─────────────────────❥

*Fikre Siddiqi _,*


★_ Aap Baitul Maal se Apne liye Wazifa Lete they , Lekin uski miqdaar Kitni thi , iska Andaza is Baat se ho Sakta Hai k Ek martaba unki Zoja Mohatrama Ka Ji chaha k halwa khaye'n, Aapse farma'ish ki to farmaya, Gunzaish nahi ,

Ab Unhone kya Kiya , Rozana Ka Jo kharch milta hai Usme se Kuchh bachane lagi , Yaha'n tak k itne paise Jama ho gaye Jinse Halwa Taiyaar ho Sakta Hai, Unse Halwa Taiyaar Kiya gaya , Jab is Baat Ka pata Aapko Chala to farmaya - Hamara Roz marra Ka kharch itne paise Kam Kar dene se bhi Poora ho Sakta Hai_," Chunache Ghar Ka Wazifa itna Kam Kara liya,


★_ Islam qubool Karne Ke baad Aapke pass 40 Hazaar Dirham they, Hijrat ke Safar Ke baad Jab Aap Madina Munavvara pahunche to unme se sirf 5 Hazaar reh gaye, Wo bhi sab Allah Ke Raaste me Kharch Kar diye, Madina Munavvara me aa Kar Tijarat shuru ki , Lekin is Tijarat se Jo kamaya Wo Sabka Sab Gazwa Tabook ke moqe per Allah Ke Raaste me de diya, Khilafat Mili to Tijarat Khatm ho gayi, Ab Nihayat mamooli Wazifa per guzara Karne lage, 


★_ Wafaat se Pehle Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha se farmaya - Jabse Mai'n Khalifa hua Hu'n , Us Waqt se ab tak Maine Musalmano Ka koi Ek Dirham bhi nahi khaya ,.. Musalman Jo mota jhota khate Hai'n, Wo hi Maine khaya aur pehna , Ab mere paas Jo kul Asasa hai, Wo Ek ount , Ek Gulaam aur ek ye Chaadar hai,_,"


★_ Yani is Haalat me Apni Zindgi Basar ki ,.. Lekin Garibo Ka itna khayal Karte they k Sardi ke Mausam me Kapde Taqseem Karte they,




*★_ Shuja'at Bardasht aur Akhlaaq _,*


★_ Aap Shuja'at me bhi Sabse Aage they, Makki Zindgi me Kuffaar Nabi Kareem ﷺ per Zulm dhaate to Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu foran aage badte , Aap ﷺ ke liye dhaal ban jate , Gazwa Badar me Aap ﷺ ke liye ek Chhappar banaya gaya tha, Aap ﷺ ki Hifazat ke liye Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu Chhappar ke paas mojood rahe aur Jisne bhi Aap ﷺ ki taraf badna chaha Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Uska Dat Kar muqabla Kiya _,


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu me Bardasht Ka maadda bhi Bahut tha , Ek Shakhs ne Aapko moonh per Bura Kaha , Aap us Waqt Khalifa they, Chahte to Uske Khilaf Kaarwayi Kar sakte they, Lekin Uske khilaf Kuchh na Kiya, Us Waqt Aapke Ek Saathi ne chaha k Us Shakhs ki gardan uda de'n, Lekin Aapne use bhi rok diya,


★_ Aap Akhlaaq me bhi Doosro se badh Chadh Kar they, Salam Karne me Pehal Karte they, Apne Saathiyo'n ko bhi Talkeen Kiya Karte they k Salam me Pehal Karne wale bane, Ek martaba dekha k log Hazrat Abdullah bin Umar Raziyllahu Anhu ko Salam Karne me Pehal Kar rahe Hai'n, is per Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne unse farmaya - Log tumhe Salam Karne me Pehal Kar rahe Hai'n... tum kyu Pehal nahi karte Taki tumhe Sawab zyada mile _,"

Uske baad Hazrat Abdullah bin Umar Raziyllahu Anhu Ka mamool ban gaya k har Kisi ko Salam me Pehal Kiya Karte they,




*"_ ita'at aur Huliya Mubarak _,*


★_ Deen Ke Ahkamaat Ke maamle me Aap bahut sakht bhi they, Ek martaba Kisi Janaze me Bahut se log Aahista Aahista ja rahe they, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne logo ko itna Aahista chalte dekha to Koda utha liya aur Farmaya :- Hum log Aan Hazrat ﷺ ke Saath Janaze me tez raftaar se Jaya Karte they _,"


★_ Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha se Kisi ne Aapka Huliya Puchha to Unhone farmaya :- Abu Bakar Gore chitte, Duble Patle Aadmi they , Dono rukhsaar Sute hue ( yani hamwaar ) they , Kamar Zara Khamdaar thi , Jabde Ki haddiya'n ubhri hui thi, Peshani Buland thi , Ungliyo'n ke Jod Gosht se Khali they , Pindliya'n aur Raane Pur Gosht thi, Qad Mozu tha ,Mehndi Ka khizaab Kiya Karte they, Nihayat Saadgi Pasand they , Kapde Mote Jhote pehante they , Khana Saada khate they , Baaz Awqaat Faaqe ki Nobat aa Jati thi _,"


★_ Ek martaba Aan Hazrat ﷺ ne Unhe aur Hazrat Umar Raziyllahu Anhum Ko Masjid me dekha k Bhook se beqaraar hai'n , Aapne farmaya - Mai'n bhi Tumhari Tarah Bhooka Hu'n,

Ek Sahabi Abu Lahisam Raziyllahu Anhu ko ilm hua to unhone khane Ka intezam Kiya , 


★_ Namaz me Aapki Haalat ye Hoti thi k esa Mehsoos hota tha Jese Zameen me Lakdi gaad di ho , Huqooqullah ke Saath Logo Ke Haq Ka had darje Khayal rakhte they, Ek martaba Aan Hazrat ﷺ ne puchha- Aaj tumme se Rozadaar kon hai ? Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu bole - Allah Ke Rasool, Mai'n Roze se Hu'n ,

Aan Hazrat ﷺ ne Puchha - Tumme se Aaj kisne Janaze me shirkat ki hai ? Jawab me Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu bole - Maine Ey Allah ke Rasool _,"

Aapne Puchha - Aaj kisne Muskeen ko Khana khilaya hai ? Fir Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu bole - Maine Allah ke Rasool _,"

Aapne Puchha - Kisi ne Kisi Mareez ki Ayadat ki jai ? Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu bole - Ey Allah ke Rasool Maine ki hai _,"

Is per Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne farmaya :- Jisne Ek Din me itni nekiya'n ki hai'n, Wo Yaqeenan Jannat me Jayega _,"




╨─────────────────────❥

*_ Khandaan E Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu _,*


★_ Aap Dil ke Bahut naram they, Qurane Kareem Padhte to Aansuo'n ki jhadi lag Jati , Is Tarah bilak bilak Kar rote k Dekhne wale bhi rone lagte, 12 Hijri me jab Hajj ke liye Tashreef le gaye to Makka me Hazrat Ikrama Raziyllahu Anhu aur Kuchh log Aan Hazrat ﷺ ki ta'aziyat ke liye Aapke paas Aaye , Aapka Haal ye tha k ye Hazraat Ta'aziyat Karte jate they aur Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu rote jate they, Baar Baar Sard Aah bharte, is qadar Sard Aa'nhe bharne ki vajah se Aapka Naam hi " Sard Aah bharne wale " mash'hoor ho gaya tha ,


★_ Aapne Chaar Nikaah kiye, Do islam se Pehle , Do islam ke baad , Islam se Pehle Qutaylah binte Abd Al Uzza aur Umme Rumaan Raziyllahu Anha se Shadi ki , Islam ke baad Asma binte Umays aur Habiba binte Kharija Raziyllahu Anha se Shadi ki , Inme Qutaylah ke bare me Maloom nahi k Musalman thi ya nahi, Umme Rumaan Raziyllahu Anha Musalman ho gayi thi aur Hazrat Asma binte Umays aur Hazrat Habiba binte Kharija Raziyllahu Anhuma se jab Nikaah hua to usse pehle hi ye Dono islam qubool Kar chuki thi,


★_ Aapke Yaha'n Teen ladke aur Teen Ladaiya'n hui , Ladko ke Naam Abdurrahman, Abdullah aur Muhammad Hai'n , Jabki Betiyo'n ke Naam Asma , Ayesha aur Umme Kulsoom Hai'n , inme Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha ko ye Azeem Sharf Haasil hua k Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke Nikaah me aayi'n , 


★_ Hazrat Asma Raziyllahu Anha wo Hasti Hai'n Jinhone Hijrat ke moqe per " Kamale Jurr'at " Saboot de Kar Huzoor Nabi Kareem ﷺ aur Apne Waalid ke Safar Ka intezam Kiya, Unki Shadi Mash'hoor Sahabi Hazrat Zuber bin Awaam Raziyllahu Anhu se hui , Hijrat ke moqe per hi inse Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyllahu Anhu paida hue , 


★_ Umme Kulsoom Aapki Teesri Beti beti thi, Ye Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke baad paida hui ,


*"_ Khandaan E Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu_2,*


★_ Abdurrahman bin Abi Bakar Raziyllahu Anhu Aapke Bade Sahabzaade Hai'n, Hazrat Umme Rumaan Raziyllahu Anha inki Walida Hai'n , Gazwa Badar me Kuffaar ke lashkar me Shamil they, Maidane Jung me ye aage bade aur Kisi Musalman ko muqable per Aane ki Dawat di , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Aan Hazrat ﷺ se unke muqable per Jane ki ijazat talab ki, Aap ﷺ ne ijazat na di , Iske baad Gazwa Uhad me bhi ye Kuffaar ke lashkar me Shamil they , Ye Suleh Hudebiya ke moqe per islam laye aur Madina Munavvara me aa Kar Apne Waalid ke Saath rehne lage , 


★_ Suleh Hudebiya ke baad Jitne Gazwaat pesh Aaye , Unme bararbar Shareek hote rahe , Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha aur Ye Sage Behan Bhai they, Dono ko ek doosre se bahut Muhabbat thi , 53 Hijri me inka inteqal hua , Hazrat Ayesha Raziyllahu Anha ne inki wafaat per bade dardnaak Ash'aar padhe they , 


★_ Aapke Doosre Bete Abdullah Raziyllahu Anhu they , Qutaylah inki Walida thi , Ye aur Hazrat Asma Raziyllahu Anha Dono Sage Behan Bhai they, inhone Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke imaan lane ke baad hi islam qubool Kar liya tha, Jab Aan Hazrat ﷺ ne Hijrat ki aur Gaare Saur me qayaam farmaya to Yahi they Jo Quresh ki khabre Khufiya tor per Aap ﷺ tak pahunchate rahe , Jab Aan Hazrat ﷺ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke Saath Madina Munavvara pahunch gaye tab inhone bhi Hazrat Umme Rumaan, Hazrat Ayesha aur Hazrat Asma Raziyllahu Anhum ko Saath le Kar Hijrat ki ,


★_ Fateh Makka , Taa'if, Hunain ke Gazwaat me Shareek rahe , Taa'if ke moqe per inhe ek Teer laga , usse Shadeed zakhmi ho gaye, ilaaj ke baad zakhm Theek to ho gaya tha lekin Taqriban dhaa'i Saal baad dobara hara ho gaya, Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke 40 roz baad ye isi zakhm se wafaat pa gaye,

*"_Khandaan E Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu-3,*


★_ Muhammad bin Abu Bakar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke Sabse chhote bete they , Ye Asma binte Umays Raziyllahu Anha ke Batan se paida hue , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki wafaat ke baad inki Walida ne Hazrat Ali Raziyllahu Anhu se Shadi kar li thi , is Tarah Muhammad bin Abi Bakar Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ki Agosh me pale ,


★_ Kuchh Morkho'n ne Likha hai k Hazrat Usman Gani Raziyllahu Anhu ke qatilo me ye bhi Shareek they , Lekin mash'hoor Muhaddis aur Morkh Hafiz ibne Abdul Bar Undlusi ne iska inkaar Kiya hai aur Likha hai k Hazrat Usman ke Khoon se Muhammad bin Abi Bakar Ka Zara bhi Talluq nahi hai ,


★_ Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne Apne daure khilafat me inhe Misr Ka waali muqarrar farmaya, Jab ye Misr pahunche to Ek Jung me Shaheed ho gaye, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha ko ye khabar mili to Bahut Ranj hua , Unke Bete Qasim ko Apni Tarbiyat me le liya, Qasim bin Muhammad Reh. ne Chunki Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha se tarbiyat haasil ki thi isliye ye Faqeeh bane , Madina Munavvara ke Saat Mash'hoor Fuqha me inka Shumaar hua ,


★_ Khulfa e Raahideen me Dekha Jaye to Sabse zyada Futuhaat Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke Daur me hui , aur Ka'i Lihaaz se Aslahaat bhi Sabse zyada inhi ke Daur me hue , Lekin ye Baat bhi zehan me rehni Chahiye k Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki khilafat Sirf Sava Do Saal tak rahi Jabki Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko Das Baras ke qareeb Waqt mila.. Lihaza Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke Daur me Jo Kuchh hua Uski buniyad dar asal Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne hi rakhi thi, 


★_ Allah Ta'ala ne Unhe Wo Salahiyate aur Jurr'ate ata farmayi thi k Kamzor Hote hue bhi un Sabke khilaf mazboot Chattan ki Tarah dat gaye aur Wo Kaam Kar dikhaye k Aaj bhi bog Hairatzada hai'n aur Rehti Duniya tak Hairatzada rahenge , Allah ki un per Karodo Rehmate Naazil Ho'n , Aameen.


╨─────────────────────❥

 

✭﷽✭


         *✭ KHILAFAT E RASHIDA .✭* 

              *✿_ खिलाफते राशिदा _✿*

            ▪•═════••════•▪                  

      *┱ ✿- Khilafat Ka Masla -,*

*"_ Daure Farooqi Ka Agaaz _,*


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Jab Khalifa bane to Aapke Saamne Iraan aur Rom se Junge Ho rahi thi, Khilafat ke Pehle Din se hi Log Bayt ke liye Aane lage , Silsila Teen din tak jaari raha, Aapne moqa pa Kar Musalmano ke Saamne khutba diya Jisme Allah Ke Raaste me Fazail Bayan farmaye,


★_ Rom aur Iraan ke Hukmraan Qaisar v Kisra kehlate they, Ye Dono Bahut badi Saltnate thi , Yani us Waqt Khud ko Super Taaqat samajhne Wali Yahi Do Taaqate thi , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke daur me Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Iraaq ke Tamaam Sarhadi ilaaqe Fateh Kar chuke they aur Kuchh hi Dino me Poora Iraaq Fateh Kar sakte they, Lekin unhi Dino Shaam Ki muhim pesh aa gayi , Isliye Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ko hukm bheja k foran Shaam ki taraf rawana Ho'n aur Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu ko Apna Jaa'naaheen muqarrar Kar Jaye'n, Chunache Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Shaam ki taraf rawana ho gaye, is Tarah Iraaq me Futuhaat Ka Silsila Ruk gaya, 


★_ Iraan ki Malka in Dino " Puraan dukht " thi, Usne Apne Mulk ke Ek bahadur Jarneel Rustam ko Apna Wazeer bana liya tha, Usne Rustam ko hukm diya k Musalmano ko iraaq se nikaal de , Rustam ne Jung ki Taiyariya'n shuru kar di , Usne Apne Lashkar ke Do hisse kiye , Ek hisse Ka Salaar" Jabaan " ko muqarrar Kiya , Jabki doosre hisse Ka Salaar" Shehzada Narsi " ko banaya ,


★_ Idhar Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu aur Abu Ubaida Reh. Hira tak pahunch chuke they, Dono Fauje Aamne Saamne hui, Musalmano me Gazab Ka Jazba dekhne me Aaya , Aakhir unke Jazbe ke aage iraani Lashkar ke Paa'nv ukhad gaye, Dono Salaar moqe per hi giraftaar ho gaye,


Abu Ubaida Reh. Ne is morqe ke baad Kaskar Kar rukh Kiya , Yaha'n Shehzada Narsi Fauj liye khada tha, Maqatiya me Dono lashkar Aamne Saamne hue, Narsi me Saath bahut bada Lashkar tha, Narsi abhi Jung shuru Karne Ke Haq me Nahi tha , Use khabar Mili thi k Uski madad ke liye Mazeed iraani Fauje rawana ho chuki Hai'n, Wo un Faujo Ka intezar Kar raha tha aur Unki Aamad se Pehle ladayi shuru nahi Karna Chahta tha , 


★_ Doosri Taraf Hazrat Abu Ubaida Reh. Ko bhi ye ittelaat mil gayi Unhone dayr karna munasib na samjha aur Hamla Kar diya, Bahut bada morqa hua aur Aakhir Narsi ko shikasht hui , Abu Ubaida Reh. Khud wahi'n thehre aur fauj ke chhote Chhote daste Charo taraf rawana Kar diye , Taki bhaagne wale iraaniyo Ka Pichha Kiya ja sake aur Unka Jaha'n tak ho sake safaya Kiya ja sake , 


★_ Is Shikasht ki khabar sun Kar Rustam Bahut Chiraag pa hua , Usne Bahman ko ek lashkar de Kar rawana Kiya , Dono Lashkar Maruha ke Muqaam per Aamne Saamne aa gaya, Dono Lashkar ke darmiyaan Dariya Faraat tha , Bahman ne Musalmano ko Paigaam bheja k Tum is Tarah aate ho ya hum Aaye'n ? Abu Ubaida Reh ke Salaaro ne Unhe mashwara diya k Bahman ko Apne Lashkar ke Saath is Aane ki Dawat di Jaye , Magar Hazrat Abu Ubaida Reh ne Kaha - Ye to Buzdili hogi , Udhar Bahman ke Qaasid ne un Musalmano ki baate sun Kar ye Kaha - Hum logo Ka bhi Yahi khayal tha k Arab marde Maidaan nahi Hai'n _,"


★_ Usne ye Baat Musalmano ko Josh dilane ke liye Kahi thi aur waqa'i Hazrat Abu Ubaida Reh Josh me aa gaye , Unhone Fauj ko Taiyari Ka Hukm de diya, Hazrat Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu aur Bade bade Sardaar ab bhi is qadam ke khilaf they , Hazrat Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu ne Abu Ubaida Reh se farmaya- Agarche Hume yaqeen hai k Dariya Paar Karne se Fauj ko Shadeed nuqsaan pahunchega Lekin Chunki Sipe Salaar is Waqt Aap Hai'n aur Afsar ki Hukm uduli Hamara tareeqa Nahi , isliye hum Taiyaar Hai'n _,"


★_ Ab Kashtiyo Ka Pul baandha gaya aur Tamaam Fauj us pul ke zariye Dariya paar Kar gayi , Lekin waha'n iraaniyo ne islami fauj ke liye Jagah bahut tang chhodi thi , Islami fauj ko Safbandi ki Jagah bhi na mil saki , Doosri Taraf iraani Fauj ke Saath Khofnaak Haathi bhi they aur un per bade bade ghante latkaye gaye they, Jab ye Haathi chalte to ghante zor zor se bajne lagte , 


★_ Musalmano ke Arbi Ghodo ne ese Haathi aur Samoor ki topiyo wale fauji Pehle nahi dekhe they , Ghode unko Dekh kar bidak Kar Pichhe hat gaye , Jab Abu Ubaida Reh ne dekha k Haathiyo ke muqable me ghode nakara Saabit ho rahe Hai'n to ghode se kood pade aur Lalkaar Kar Apne Saathiyo'n se Kaha - Jaa'nbaazo ! Haathiyo ko darmiyaan me le lo aur Hodajo ko sawaar samet ulat do _," 


★_ Is elaan ke Saath sab Musalman Ghodo se kood pade aur Hodajo ki raasiya'n kaat kaat Kar haathi sawaaro ko niche girane lage ,..iske bavjood Haathiyo ki vajah se Musalmano Ka Bahut nuqsaan ho raha tha , Ye Soorate Haal Dekh Kar Hazrat Abu Ubaida Reh ne Safed Haathi per hamla Kiya , Ye Sab Haathiyo Ka Sardaar tha, Unhone Haathi ke Soond per Talwaar maari ,Soond kat gayi , udhar Haathi Gusse me aage bada aur Unhe Zameen per gira Kar Apna Paa'nv unke Seene per rakh diya, aur Wo Shaheed ho gaye,


★_ Unki Shahadat ke baad unke Bhai Hakam ne Alam Haath me le liya aur Purjosh Andaz me Haathi per hamla aawar hue, Usne Hazrat Abu Ubaida Reh ki Tarah Unhe bhi Paanv ke niche kuchal diya, is Tarah Saat Aadmiyo'n ne Baari Baari Alam Haath me liya aur maare gaye, Ye Saato Khandane Saqeef se they , 


★_ Aakhir Hazrat Musana bin Haarisa Raziyllahu Anhu ne Alam Haath me liya , Us Waqt tak Jung Ka naqsha palat chuka tha aur iraani Musalmano ko Dariya ki taraf dhakel rahe they, Ese me Kisi ne Pul bhi Tod diya, Musalman is qadar bad hawaas hue k Toota pul dekh Kar Dariya me kood pade, Ese me Hazrat Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu ne Fauj ko sambhala , Pul bandhwaya aur Sawaaro ke daste ke zimme lagaya k Pul paar Karte logo ki madad kare, Khud Ek daste ko Saath le Kar Dushman Ke muqable per date rahe , is qadar jawa'n Mardi se lade k Dushman Jo barabar badhta Chala aa raha tha Uska badhna Ruk gaya,


★_ Us Waqt tak 9 Hazaar Sipahiyo me se sirf 3 Hazaar Apni jaane bacha Kar doosre kinaare tak pahunch sake , Un 3 Hazaar Ka bachaav bhi Hazrat Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu ki Hikmat Amli se hua ,


          ▪•═════••════•▪

*"_ Boyab Ka Morqa _,*


★_ Islam ki tareekh me Maidane Jung se bhaagne ki misale bahut kam milti Hai'n , Is ladayi me Jin Musalmano ki Paspayi ki vajah se islami Lashkar ko shikasht hui thi, Wo maare Sharm ke Apne gharo me na gaye, idhar udhar junglo me Firte rehte they aur Rote rehte they, Madina Munavvara me ye khabar pahunchi to Musalmano ko Bahut Ranj hua, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu bhi behad gamgeen hue, fir bhi Doosro ko tasalli dete rahe Lekin Unhe khud tasalli nahi Hoti thi ,


★_ Musalmano ki is shikasht ne Hazrat Umar Raziyllahu Anhu per ek iztraab taari Kar diya, Aapne zor shor se Jung ki Taiyariya'n shuru kar di, Saare Arab me Purjosh Taqreere Karne wale Hazraat bheje gaye , unki taqreero ne Jaziratul Arab me Aag laga di, Har taraf se Arab ke Qaba'il Aane lage , Udhar Hazrat Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu ne Tamaam Sarhadi maqamaat ki taraf Paigaam bhej diye aur is Tarah Ek badi Fauj Jama Kar li , 


★_ Islami lashkar Boyab ke Muqaam per aa Kar ruka , Boyab Kufa ke qareeb waqe tha, Udhar Mehraan Apni Fauj ke Saath rawana hua , Boyab ke Muqaam per pahunch Kar Mehraan ne Dariya Faraat ke kinaare Padaav Kiya , Subeh Hote hi Usne Dariya Paar Kiya aur Musalmano ke lashkar ke Saamne Safbandi shuru Kar di , 


★_ Hazrat Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu ne Nihayat Tarteeb se islami Lashkar ki Safbandi ki , Islami fauj Ka Jung shuru Karne Ka Tareeqa ye tha k Sipeh Salaar teen martaba Allahu Akbar Kehta tha, Pehli Takbeer per Fauj hamla Karne Ke liye Taiyaar ho Jati thi, Doosri Takbeer per Fauj Hathiyar sambhal leti thi aur Teesri Takbeer per Hamla Kar diya jata tha, 


★_ Hazrat Musna Raziyllahu Anhu ne abhi Doosri Takbeer bhi nahi Kahi thi k iraaniyo ne hamla Kar diya, Zabardast Jung shuru hui , Musalmano ke bade bade Afsar Shaheed hue , Lekin Hazrat Musna Raziyllahu Anhu Saabit qadam rahe , Unki Saabit qadmi ki vajah se Musalmano ko Fateh hui , Mehraan qatl hua , Mehraan ke qatl ki khabar ne iraaniyo ke Hausle Khatm Kar diye, Wo Bad Hawaas ho Kar bhaage, Hazrat Musna Raziyllahu Anhu ne foran Apne Daste ke Saath pul per pahunch gaye Taki iraani bhaag na sake , Us Jagah itne iraani qatl hue k Laasho Ka ambaar lag gaya, Morkho'n ne Likha hai k Kisi ladayi me itni Laashe nahi giri Jitni Boyab ki ladayi me giri , Muddato baad Musalmano Ka udhar se guzar hua to us Waqt bhi waha'n haddiyo ke Ambaar Nazar aaye,

          ▪•═════••════•▪


*"_ Qaadsiya Ki Taraf Lashkare Islam _,*


*★_ Is morqe ke baad Musalman Tamaam iraaq me Fayl gaye , Aaj Jaha'n Bagdaad hai Waha'n Us Zamane me bahut bada Bazaar Lagta tha , Hazrat Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu ne waha'n us Din hamla Kiya Jis Din Bazaar laga tha , Sab log Jaan bachane ke liye bhaage , Musalmano ke Haath betahasha Maal Aaya , 


★_ Iraan ke Darul Hukumat me ye khabar pahunchi to waha'n khalbali Mach gayi , Iraan ki Malka Poran Dukht ko na Ahal qaraar diya aur Takht se utaar Kar Yazdgard ko bitha diya, Yazdgard 16 Saala Nojawan tha , Kisra ke khandaan me Yahi reh gaya tha , Is Tarah Yazdgard ki Takht nasheeni se iraani Hukumat ke Paanv Ek Baar fir jam gaye, 


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko khabar Mili to Aapne Hazrat Musna Raziyllahu Anhu ko hukm bheja - Faujo ko har taraf se samet Kar Arab ki sarhad ki taraf hat Aao , Rabi'a aur MuZir ke Qabilo ko bhi talab Kar lo _," 

Iske alawa Umar Farooq Raziyllahu Anhu ne har taraf Qasid daudaye , Har taraf se logo ko bulaya gaya , Hajj Ka Zamana tha , Khud bhi Makka Mukarrama pahunche , Abhi Aap Hajj se Faarig bhi nahi hue they k Har taraf se Qabilo ke Qafile umad Aaye , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Hajj Kar Ke waapas Aaye to badi tadaad me Mujahideen Madina Munavvara me Jama ho chuke they, Aapne Hukm diya :- Lashkar ko Tarteeb diya Jaye , Mai'n Khud Sipeh Salaar ban Kar Saath Jaunga _,"


★_ Jab Lashkar Tarteeb diya ja chuka to khud Madina Munavvara se Nikal Aaye aur iraaq ki taraf rawana hue, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke is Tarah Saath chal padne se Musalmano me betahasha Josh paida ho gaya, Madina Munavvara se Teen meel ke Faasle per lashkar ne Padaav Kiya , Us Waqt bade bade Sahaba ne Mashwara Kar Ke Hazrat Umar Raziyllahu Anhu se arz Kiya - Ey Amirul Momineen ! Aap lashkar ke Saath na Jaye'n.. Khuda na Khwasta Aapko Kuchh ho gaya to ye Islam ke liye Bahut bada Saanha Hoga _," Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Unki Raay qabool farma Kar Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ko Lashkar Ka Sipeh Salaar banaya gaya ,,


★_ Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu Lashkar ko le kar rawana hue , 17 ya 18 manzile Tay kar ke Aap Saalba pahunche , Yaha'n pahunch Kar qayaam Kiya, Saalba Koofa se Teen manzil per hai , Hazrat Musna bin Haarisa Raziyllahu Anhu 8 Hazaar ke Lashkar ke Saath Ziqaar ke Muqaam per thehre hue they , Unhe Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ke Lashkar ka intezar tha , 


★_ Wo Chahte they k Lashkar Koofa ki taraf bade to Uske Saath Shamil ho Jaye'n , Unhe pul ki ladayi me Shadeed zakhm aaye they aur zakhm abhi Theek Nahi hue they aur is Muqaam per un Zakhmo ki taab na la Kar wafaat payi , ye itne bade Salaar they k Sadiyo baad ese log paida Hote Hai'n, Jihaad me Zindgi Khatm Kar di aur Aakhri dam tak iraaniyo ko naako chane chabwate rahe , Allah un per Reham farmaye , unke darjaat Buland farmaye, Aammen.


★_ Hazrat Sa'ad Raziyllahu Anhu abhi Sharaaf ke Muqaam per they k Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki taraf se hukm Aaya - Sharaaf se Aage badh kar Qaadsiya me qayaam Kari ... Aur is tarah morche banao k Saamne Ajam ki Zameen ho aur Kamar per Arab ke pahaad Ho'n ... Taki Fateh ho to Jaha'n tak chaho badte chale jao aur Khuda na Khwasta Doosri Soorat pesh Aaye to hat kar Pahaado ki panaah le sako _,


★_ Qaadsiya Ek bahut mehfooz Muqaam tha, Ye Shadaab ilaaqa tha , isme Nehre aur Pul bhi they , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Islam se Pehle Tijaarat vagera ke liye in ilaaqo se guzra Karte they, Lihaza in ilaaqo se khoob waaqif they , Iske baad Hazrat Sa'ad Raziyllahu Anhu Sharaaf se chale to Uzaib pahunche , Yaha'n Ajmiyo ka Aslaha Khana mojood tha, Wo islami Lashkar ke Haath laga , Aakhir Qaadsiya pahunch gaye,


★_ Iraani Lashkar Ka Sipeh Salaar Rustam ko muqarrar Kiya gaya tha , Ye Mada'in se rawana ho Kar Sabaat me thehra tha , Hazrat Sa'ad Raziyllahu Anhu ne Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko ittela bheji , Waha'n se Jawab Aaya - Jung se Pehle Kuchh Safeer iraaniyo ki taraf bheje Jaye'n .. Unhe islam ki Dawat di Jaye _," 

Hazrat Sa'ad Raziyllahu Anhu ne 14 Qabil Tareen Saathiyo'n ko muntakhab Kiya , Jinme Aasim bin Umar, Amru bin Ma'adi Karb, Mugira bin Shoba, Muin bin Haarisa aur No'maan bin Maqran Raziyllahu Anhum zyada mash'hoor Hai'n , Ye Hazraat Aqal , Tadbeer aur Siyasat me Apna Jawab Nahi rakhte they,


★_ Ye Safeer Ghodo per sawaar Mada'in pahunche , Raaste me jidhar se guzarte logo ki bheed lag Jati , Unki Zaahiri Soorat ye thi k Ghodo per Zeen nahi thi , Haatho me Hathiyar nahi they , Magar be baaki aur Dileri unke Chehro se tapakti thi , Dekhne Wale Foran mutassir ho jate they, Unki Sawaari me Jo ghode they Wo khoob Sehatmanad aur Chaako Choband they , Unki Zordaar Taapo ki Awaaz Yazdgard tak pahunchi to Usne Puchha - Ye kesi Awaaz hai ? Use bataya gaya - islami Lashkar ke Safeer Aaye Hai'n _,"


★_ Ye ittela Milne per Usne Apna Darbaar sajaya , Khoob Saazo Samaan se usko Araasta kiya Taki Musalman Safeero per Uski Dhaak beth Jaye , Raaste Ke Dono taraf Apne Jungju khade kiye ... Unke Darmiyaan se guzar Kar islami Safeero ko us tak Jana tha , Ye Tamaam intezamaat Karne Ke baad Usne un Safeero ko talab Kiya ,


★_ Islami Safeer Arbi Jubbe pehne , Kaandho per Chhadre daale , Haatho me Kode liye Darbaar me dakhil hue ... Musalmano ki musalsal Futuhaat ne iraaniyo per Pehle hi dhaak Jama di thi ,.. Yazdgard ne Safeero ki ye shaan dekhi to us per Haybat taari ho gayi , 


*★( Ye thi Kisi zamane me Musalmano ki shaan k Duniya ki Super Power kehlane wali Mumlikato ke Hukmraan unse darte they ,... Aaj ke Musalman Yahoodo Nasara se darte Hai'n aur Muslim Hukmraan unke Aage Haath jodte Hai'n , Sad Afsos )


★_ Yazdgard ne unse pehla Sawaal Kiya - tum is Mulk me kyu Aaye ho ? 

Hazrat No'maan bin Maqran Raziyllahu Anhu us Jama'at ke Ameer they , Unhone Unhe Pehle to islam ke bare me bataya .. fir farmaya - Hum Tamaam Duniya ke Saamne ye Cheeze pesh Karte Hai'n .. Islam qubool Kar lo , Ya Jaziya dena qubool Kar lo , Varna fir Talwaar Hamare aur Tumhare darmiyaan Faisla karegi _,"


★_ Unki Baat sun Kar Yazdgard ne Kaha - Kya tumhe Yaad nahi k Tamaam Duniya me Tumse zyada Kamzor aur Bad Bakht Qaum koi nahi thi , Tum jab Kabhi humse bagawat Karte they to hum Sarhad ke Zameendaaro ko bech dete they, Wo tumhe Sidha Kar dete they _,"


★_ Uski ye Baat Hazrat Mugira bin Zarrah Raziyllahu Anhu se zabt na ho saki , Unhone Apne Saathiyo'n ki taraf ishara Karte hue Kaha - Ye Arab ke Ra'iso me se Hai'n ...Apni burdbari aur waqaar ki vajah se zyada Baat Nahi Karte they, Inhone Jo Kaha Wohi munasib tha , Lekin Kuchh Baate reh gayi , Wo baate Mai'n Bayan Kar Deta Hu'n , Ey Badshaah ! Ye sach hai k hum Bad Bakht aur Gumrah they , Aapas me ladte Marte rehte they, Apni Ladkiyo ko zinda dafan Kar dete they, Lekin Allah Ta'ala ne Humme Ek Paigambar bheja , Wo Hasab Nasab me Humse Aala tha , Shuru Shuru me Humne unki Mukhalfat ki , Lekin fir rafta rafta uski Baato ne Dilo per Asar Kiya , 


"_ Wo Jo Kehta tha Allah Ke Hukm se Kehta tha aur Jo Kuchh karta tha Allah Ke Hukm se karta tha, Usne Hume Hukm diya k is Mazhab ko tamaam Duniya ke Saamne pesh Karo , Jo Islam le aaye'n Wo Tamaam huqooq me Tumhare barabar Hai'n , Jinhe islam se inkaar hua aur Jizye per razamand Ho'n Wo islam ki himayat me rahe'n aur Jin logo ko in dono Baato se inkaar ho , unke liye Talwaar hai _,"


★_ Yazdgard tesh me aa gaya, Usne Kaha - Agar Qasid ki qatl Jaa'iz hota to tum me se koi zinda Bach Kar nahi jata _," Ab Usne Hukm diya - Ek mitti Ka tokra laya Jaye _," Jald hi Mitti Ka tokra laya gaya, Usne Hukm diya, Tokra inme se Kisi ke Sar per rakh do _," 

Wo Tokra Hazrat Aasim bin Umar Raziyllahu Anhu ke Sar per rakha gayq , Usne isi Haalat me Unhe waapas lot Jane Ko Kaha , Ye log waapas rawana hue aur Aakhir Apne Lashkar me pahunch gaye , Hazrat Sa'ad bin Waqaas Raziyallahu Anhu ki khidmat me pahunch Kar Unhone Kaha - Fateh mubarak ho , Dushman ne Apni Zameen khud hi Hume de di _,"


★_ Rustam 60 Hazaar Ka lashkar le Kar Sabaat se nikla aur Qaadsiya ke Maidaan me ja pahuncha , Rustam Ka lashkar Jaha'n se bhi guzra , Waha'n ke logo ke Saath Bura sulook karta aaya, Yaha'n tak k logo me ye khayal Aam ho gaya k Ab Ajam ki Saltnat ke Zawaal Ka Waqt qareeb hai , 


★_ Ka'i Maah tak dono Lashkar Aamne Saamne pade rahe , Rustam ab tak ladne se ji churata raha tha , Shayad use Apni shikasht Ka Pehle hi Andaza ho gaya tha, Usne Ek martaba fir Suleh ki Koshish ki , Usne Hazrat Sa'ad Raziyllahu Anhu ke paas Paigaam bheja- Apna koi Qaasid mere paas bhejo .. Mai'n Suleh ki Baat Karna Chahta Hu'n _,"


★_ Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ne Hazrat Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu ko bheja , Wo is Andaz me rawana hue k Talwaar ke daste per chamde lapet rakhe they aur Libaas bilkul Saada tha , Kamar me Rassi Ka patka tha , Talwaar usse latak rahi thi, 


★_ Udhar iraaniyo ne Unhe Apni shaan v Shokat dikhane ke liye khoob Taiyariya'n ki , Darbaar ko khoob sajaya , Diba Ka Farah bichhaya , Resham ke parde latkaye , Shaahi Takht ko sajaya banaya , Raaste Ke Dono taraf Sipahi khade kiye , Hazrat Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu unke Darmiyaan me chalte Darbaar tak Aaye , Diba ke Farsh ke paas ghode se utre , uski baag ko gaav takiye se latkaya , Darbariyo ne bahar Hathiyar le Lene ki Koshish ki , Lekin Unhone Hathiyar utaarne se inkaar Kar diya aur Kaha - Tum logo ne bulaya hai to Mai'n Aaya Hu'n ...Agar Tumhe is Haalat me Mera Darbaar tak Jana Manzoor nahi to Mai'n lot jata Hu'n _,"


★_ Darbariyo ne ye Baat Rustam ko batayi , Usne ijazat de di , Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu Nihayat laparwahi ki Haalat me aage bade , Haath me neza tha , Us Neze ko qaleen me gho'npte gaye, is Tarah Wo Qaleen Jagah Jagah se Kar gaya , Takht ke Nazdeek pahunch Kar Unhone Apna neza Zameen me maara , Neza Zameen me gad gaya, 


★_ Ab Baat Cheet shuru hui , Rustam ne Puchha - is Mulk me kyu Aaye ho ? 

"_ Hum isliye Aaye Hai'n ki Makhlooq ki ibaadat Ke bajaye Khaaliq ki ibaadat ki Jaye _,

Is per Rustam ne Kaha - Mai'n Arkaane Saltnat se Mashwara Kar Ke Jawab dunga _,"

Is dauraan darbaari Baar Baar uth Kar Hazrat Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu ke paas Aane lage , Unke Hathiyar dekhne lage , Unme se ek ne tanziya Andaz me Kaha - Kya in Hathiyaro se Iraan Fateh Karne Ka iraada hai ?


★_ Ye Sunte hi Hazrat Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu ne Talwaar miyan se nikaali , Uski Chamak unki Aankho ko khairah Kar gayi , Bijli si kondh gayi Thi, Unhone Kaha - Agar Meri Talwaar ki kaat dekhna chahte ho to dhaal aage Karo _,"

Ek Sipahi ne dhaal aage Kar di, Hazrat Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu ne us per Talwaar maari , Dhaal do tukde ho gayi , 


★_ Hazrat Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu se Suleh ki Baat Cheet nakaam rahi , Aakhir me Hazrat Mugira bin Shoba Raziyllahu Anhu gaye, Hazrat Mugira bin Shoba Raziyllahu Anhu ghode se utar Kar Sidhe Rustam ki taraf gaye. Uske zaanu se zaanu Mila Kar Beth gaye, Unke Nazdeek ye gustakhi thi , Chobdaaro ne Unhe Baazu Pakad Kar Takht se utaar diya, Ab Hazrat Mugira bin Shoba Raziyllahu Anhu ne Kaha - Mai'n Khud nahi Aaya Hu'n , Tumne bulaya hai , Mehmaan ke Saath ye sulook Theek nahi _," Unke Alfaz sun Kar Unhe Sharm Mehsoos hui , Rustam bhi Sharminda ho kar bol utha - Ye mulazmeen ki galti thi , mere Hukm se esa nahi hua _,"


★_ Ab Rustam ne be takallufi ke Andaz me Hazrat Mugira bin Shoba Raziyllahu Anhu ke Tarkash se Teer nikale aur unko Haatho me le Kar Kaha - in Taklo se kya Hoga ? Hazrat Mugira Raziyllahu Anhu Jawab me bole - Aag ki lo Agarche chhoti Hoti Hai , Lekin fir bhi Aag hai _,"

Rustam ne Unki Talwaar ke niyaam ko dekh Kar Kaha - Ye kis qadar bosida hai _," Jawab me Unhone Kaha - Haa'n, Lekin Talwaar ki dhaar abhi tez ki gayi hai _,"


★_ Ab Rustam ne Kaha - Mai'n tumhe mashwara Deta Hu'n, Ab bhi Waqt hai , Waapas chale jao , Hum tumhe nahi rokenge , Balki Kuchh ina'am v ikraam de Kar rukhsat karenge _,"

Hazrat Mugira Raziyllahu Anhu ne Talwaar ke daste per Haath rakhte hue farmaya - Hamari bas Teen Baate Hai'n, Islam qubool Karo , Ya Jizya dena Manzoor Karo , Varna is Talwaar se Faisla Hoga _,"


★_ Ye Sun Kar Rustam gusse me bhadak utha , Usne Cheekh Kar Kaha - Surah ki qasam ! Mai'n kal Saare Arab ko barbaad Kar dunga _," 

Is tarah ye Baat Cheet bhi nakaam ho gayi , Rustam Ab tak ladayi ko barabar taalta raha tha , Lekin is Baat Cheet ke baad is qadar tesh me Aaya k Usne usi Waqt faujo ko Taiyari Ka Hukm de diya, Darmiyaan me Ek nehar thi , Usne Hukm diya - Subeh hone se Pehle pehle Nehar ko paat Diya Jaye Taki Raasta Saaf ho Jaye _,"


★_ Subeh tak Nehar ko paata ja chuka tha aur Lashkar ke Guzarne ke liye sadak bana di gayi Thi , Dopahar tak Tamaam Fauj Nehar ke Doosri Taraf ja chuki thi, Ab Rustam ne dohri zira pehni , Sar per Khod rakha , Hathiyar lagaye , Fir Apna Khaas ghoda talab Kiya , Us per Sawaar ho Kar Purjosh lehje me Bola - Mai'n Saare Arab ko Chalna choor Kar dunga _,"

Kisi Sipahi ke moonh se ye Alfaz Nikal gaye - Haa'n , Agar Khuda ne chaha _," 

ye Sun Kar Usne Kaha - Agar Khuda ne na chaha to Mai'n Tab bhi Arab ko barbaad Kar dunga _,"

          ▪•═════••════•▪


*★_ Rustam Ke Darbaar me Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum_,*


★_ Rustam 60 Hazaar Ka lashkar le Kar Sabaat se nikla aur Qaadsiya ke Maidaan me ja pahuncha , Rustam Ka lashkar Jaha'n se bhi guzra , Waha'n ke logo ke Saath Bura sulook karta aaya, Yaha'n tak k logo me ye khayal Aam ho gaya k Ab Ajam ki Saltnat ke Zawaal Ka Waqt qareeb hai , 


★_ Ka'i Maah tak dono Lashkar Aamne Saamne pade rahe , Rustam ab tak ladne se ji churata raha tha , Shayad use Apni shikasht Ka Pehle hi Andaza ho gaya tha, Usne Ek martaba fir Suleh ki Koshish ki , Usne Hazrat Sa'ad Raziyllahu Anhu ke paas Paigaam bheja- Apna koi Qaasid mere paas bhejo .. Mai'n Suleh ki Baat Karna Chahta Hu'n _,"


★_ Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ne Hazrat Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu ko bheja , Wo is Andaz me rawana hue k Talwaar ke daste per chamde lapet rakhe they aur Libaas bilkul Saada tha , Kamar me Rassi Ka patka tha , Talwaar usse latak rahi thi, 


★_ Udhar iraaniyo ne Unhe Apni shaan v Shokat dikhane ke liye khoob Taiyariya'n ki , Darbaar ko khoob sajaya , Diba Ka Farsh bichhaya , Resham ke parde latkaye , Shaahi Takht ko sajaya banaya , Raaste Ke Dono taraf Sipahi khade kiye , Hazrat Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu unke Darmiyaan me chalte Darbaar tak Aaye , Diba ke Farsh ke paas ghode se utre , uski baag ko gaav takiye se latkaya , Darbariyo ne bahar Hathiyar le Lene ki Koshish ki , Lekin Unhone Hathiyar utaarne se inkaar Kar diya aur Kaha - Tum logo ne bulaya hai to Mai'n Aaya Hu'n ...Agar Tumhe is Haalat me Mera Darbaar tak Jana Manzoor nahi to Mai'n lot jata Hu'n _,"


★_ Darbariyo ne ye Baat Rustam ko batayi , Usne ijazat de di , Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu Nihayat laparwahi ki Haalat me aage bade , Haath me neza tha , Us Neze ko qaleen me gho'npte gaye, is Tarah Wo Qaleen Jagah Jagah se Kar gaya , Takht ke Nazdeek pahunch Kar Unhone Apna neza Zameen me maara , Neza Zameen me gad gaya, 


★_ Ab Baat Cheet shuru hui , Rustam ne Puchha - is Mulk me kyu Aaye ho ? 

"_ Hum isliye Aaye Hai'n ki Makhlooq ki ibaadat Ke bajaye Khaaliq ki ibaadat ki Jaye _,

Is per Rustam ne Kaha - Mai'n Arkaane Saltnat se Mashwara Kar Ke Jawab dunga _,"

Is dauraan darbaari Baar Baar uth Kar Hazrat Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu ke paas Aane lage , Unke Hathiyar dekhne lage , Unme se ek ne tanziya Andaz me Kaha - Kya in Hathiyaro se Iraan Fateh Karne Ka iraada hai ?


★_ Ye Sunte hi Hazrat Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu ne Talwaar miyan se nikaali , Uski Chamak unki Aankho ko khairah Kar gayi , Bijli si kondh gayi Thi, Unhone Kaha - Agar Meri Talwaar ki kaat dekhna chahte ho to dhaal aage Karo _,"

Ek Sipahi ne dhaal aage Kar di, Hazrat Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu ne us per Talwaar maari , Dhaal do tukde ho gayi , 


★_ Hazrat Rabi bin Aamir Raziyllahu Anhu se Suleh ki Baat Cheet nakaam rahi , Aakhir me Hazrat Mugira bin Shoba Raziyllahu Anhu gaye, Hazrat Mugira bin Shoba Raziyllahu Anhu ghode se utar Kar Sidhe Rustam ki taraf gaye. Uske zaanu se zaanu Mila Kar Beth gaye, Unke Nazdeek ye gustakhi thi , Chobdaaro ne Unhe Baazu Pakad Kar Takht se utaar diya, Ab Hazrat Mugira bin Shoba Raziyllahu Anhu ne Kaha - Mai'n Khud nahi Aaya Hu'n , Tumne bulaya hai , Mehmaan ke Saath ye sulook Theek nahi _," Unke Alfaz sun Kar Unhe Sharm Mehsoos hui , Rustam bhi Sharminda ho kar bol utha - Ye mulazmeen ki galti thi , mere Hukm se esa nahi hua _,"


★_ Ab Rustam ne be takallufi ke Andaz me Hazrat Mugira bin Shoba Raziyllahu Anhu ke Tarkash se Teer nikale aur unko Haatho me le Kar Kaha - in Taklo se kya Hoga ? Hazrat Mugira Raziyllahu Anhu Jawab me bole - Aag ki lo Agarche chhoti Hoti Hai , Lekin fir bhi Aag hai _,"

Rustam ne Unki Talwaar ke niyaam ko dekh Kar Kaha - Ye kis qadar bosida hai _," Jawab me Unhone Kaha - Haa'n, Lekin Talwaar ki dhaar abhi tez ki gayi hai _,"


★_ Ab Rustam ne Kaha - Mai'n tumhe mashwara Deta Hu'n, Ab bhi Waqt hai , Waapas chale jao , Hum tumhe nahi rokenge , Balki Kuchh ina'am v ikraam de Kar rukhsat karenge _,"

Hazrat Mugira Raziyllahu Anhu ne Talwaar ke daste per Haath rakhte hue farmaya - Hamari bas Teen Baate Hai'n, Islam qubool Karo , Ya Jizya dena Manzoor Karo , Varna is Talwaar se Faisla Hoga _,"


★_ Ye Sun Kar Rustam gusse me bhadak utha , Usne Cheekh Kar Kaha - Surah ki qasam ! Mai'n kal Saare Arab ko barbaad Kar dunga _," 

Is tarah ye Baat Cheet bhi nakaam ho gayi , Rustam Ab tak ladayi ko barabar taalta raha tha , Lekin is Baat Cheet ke baad is qadar tesh me Aaya k Usne usi Waqt faujo ko Taiyari Ka Hukm de diya, Darmiyaan me Ek nehar thi , Usne Hukm diya - Subeh hone se Pehle pehle Nehar ko paat Diya Jaye Taki Raasta Saaf ho Jaye _,"


★_ Subeh tak Nehar ko paata ja chuka tha aur Lashkar ke Guzarne ke liye sadak bana di gayi Thi , Dopahar tak Tamaam Fauj Nehar ke Doosri Taraf ja chuki thi, Ab Rustam ne dohri zira pehni , Sar per Khod rakha , Hathiyar lagaye , Fir Apna Khaas ghoda talab Kiya , Us per Sawaar ho Kar Purjosh lehje me Bola - Mai'n Saare Arab ko Chalna choor Kar dunga _,"

Kisi Sipahi ke moonh se ye Alfaz Nikal gaye - Haa'n , Agar Khuda ne chaha _," 

ye Sun Kar Usne Kaha - Agar Khuda ne na chaha to Mai'n Tab bhi Arab ko barbaad Kar dunga _,"

                   ▪•═════••════•▪


*"_ Qaadsiya Ki Jung _,*


★_ Dono Fauje Aamne Saamne ho gayi , Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ne qayde ke mutabiq teen naare lagaye , chothe naare me Jung shuru ho gayi, Dayr tak dono taraf se Bahadur Maidaan me aate rahe , muqable Hote rahe , Ba qayda Jung shuru hone se Pehle hi iraaniyo ke bade bade Ka'i Sardaar maare gaye ,


★_ Aakhir dono Fauje Poori Taaqat se ek doosre per Hamla Aawar hui , Hazrat Qa'aqa'a Raziyllahu Anhu ne Ek Anokhi Tadbeer ki , islami Lashkar me Haathi Nahi they Jabki iraaniyo ke paas Haathi they , Unki vajah se islami Lashkar ke ghode bidak jate they, Hazrat Qa'aqa'a Raziyllahu Anhu ne ye Kiya k Kai Kai ounto ko Mila Kar un per chaadre daal di , Chaadro me lapte ye ount jab aage laye gaye to Haathi SE bhi Zyada Khofnaak Jaanwar Nazar Aaye , Inko Dekh Kar iraaniyo ke ghode bidakne lage , Ye Tadbeer bhi khoob kaargar rahi ,


★_ Hazrat Khansa Raziyllahu Anha Arab ki mash'hoor Shaayra thi , Wo bhi is Jung me Shareek thi , Unke Chaar bete they , Chaaro islami Lashkar me Shamil they aur Dushman se lad rahe they , Ladayi shuru hone per inhone Apne Beto se Kaha tha - Pyare Beto ! Jao ... Dushman se lado ..aur Aakhir tak lado _,"


★_Chaaro Ek Saath Aage bade aur Dushman per toot pade , Jab ladte Ladte is qadar door Nikal gaye k Aankho'n se ojhal ho gaye, Us Hazrat Khansa Raziyllahu Anha ne Kaha - Ey Allah ! Mere Beto ki Hifazat farma _," 

Us Roz Jung me do Hazaar Musalman Shaheed hue , Unke muqable me das Hazaar ke qareeb iraani maare gaye ya zakhmi hue ,.. Fateh aur Shikasht Ka Faisla na ho saka , Suraj Guroob hone ke Saath hi Dono lashkar waapas palat gaye,


★_ Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Shaam se 700 sawaar bheje they , Wo bhi pahunch gaye , Unke pahunchne per khoob naare goonje , Shaam se Aane wale daste ke Salaar Hishaam they , Unhone aate hi Fauj se khitaab kiya - Tumhare Bhaiyo'n ne Shaam Fateh Kar liya hai , Iraan ki Fateh Ka Jo vaada Tumse Allah Ta'ala Ka Hai, Wo bhi Poora hoga _,"


★_ Fir jung Ka Agaaz hua , iraaniyo ki Fauj me Do Haathi Bahut bade aur Khofnaak they , Baqi Haathi unke Pichhe chalte they , Musalmano ke ghode Sabse zyada in do Haathiyo se dar rahe they , In sabka Jayza Lene ke baad Hazrat Sa'ad Raziyllahu Anhu ne Hazrat Qa'aqa'a Raziyllahu Anhu aur Unke khaas Saathiyo'n ko bula Kar Kaha - Haathiyo ki muhim ab Tumhare haath me hai , unki Aankhe fod do aur Soonde kaat do , Ye bekaar ho Jayenge _,"


★_ Hazrat Qa'aqa'a Raziyllahu Anhu ne Kuchh sawaar Paidal mujahid Haathiyo ki taraf rawana kiye , Uske baad khud aage bade , Haath me neza tha , Un do bade Haathiyo me se ek ki taraf bade , Aasim Reh. Unke Saath Saath they , Dono ne Ek Saath taak Kar Neze maare , Dono Neze Haathi ki Dono Aankho'n me lage , Haathi ne Ek Zabardast jhurjhuri li aur Pichhe hata, Saath hi Talwaar zor se uski soond per maari k Soond kat Kar gir gayi , 


★_ Doosri Taraf unke Saathiyo'n ne doosre bade Haathi per hamla Kiya , Wo bhi zakhmi hua aur Ulta bhaaga , Ab Tamaam Haathi bhi un Dono Haathiyo ke Pichhe bhaage , is Tarah islami Fauj ko is Syaah Musibat se nijaat mili , Ab Unhe ghode bidakne ki Pareshani nahi rahi thi, is zor ki Jung hui k naaro ki goonj se Zameen hilne lagi ,


★_ Dono Lashkaro per Josh Ka Ek esa Aalam taari ho chuka tha k Suraj Guroob hone ke baad bhi ladayi band na ho saki , Yaha'n tak k Raat ho gayi, Ladayi fir bhi na ruki , Aakhir Hazrat Qa'aqa'a Raziyllahu Anhu ne Chand namoor Bahaduro Ko Saath liya aur Rustam ki taraf rukh Kiya , Rustam us Waqt apne Takht per betha tha , Usne Unhe Apni taraf Ka rukh Karte dekha to Takht per betha na reh saka , niche utra , Usne bhi Apni Talwaar so'nt li aur mardana waar Jung Karne laga , Bahut dayr tak ladta raha, Yaha'n tak k Zakhmo se choor ho gaya aur bhaag nikla , 


★_ Bilaal naami Ek Sahabi ne Uska Pichha Kiya , Ese me Ek Nehar saamne aa gayi , Rustam kood pada k Tayr Kar Nikal Jaye'n , Bilaal bhi ghode se kood pade, Use Taango se Pakad Kar Nehar se nikaal laye, Fir Talwaar ke Ek Vaar se uska Kaam Tamaam Kar diya , Unhone Laash Khachchar ke payro ke paas daal Di aur Khud Takht per Chad Kar pukaar uthe - Maine Rustam ko qatl Kar diya hai _,"


★_ Iraaniyo ne Takht ki taraf dekha us per Rustam na tha , Bas fir Kya tha, Poori Fauj me bhag dad mach gayi, Musalmano ne door tak unka Pichha Kiya , Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ne Fateh ki khabar Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko bheji , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu khabar sunne ko buri Tarah bechain they , Bechaini ke Aalam me Aap Rozana Subeh Savere se bahar nikal aate aur Qaasid ki raah dekhte rahte , Jab Qaasid ke Aane ki Ummeed na reh Jati , Tab waapas lot te,


★_ isi Tarah Ek Din Qaasid ke intezar me door tak Nazre jamaye khade they k Ek Sawaar aata Nazar Aaya , Wo ount per sawaar tha , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Uske Nazdeek Aane Ka intezar na Kiya , Khud uski taraf daud pade , Wo Hazrat Sa'ad Ka Qaasid tha , Sidha Maidane Jung se Chala aa raha tha, Hazra Umar Raziyllahu Anhu ne usse Puchha - Kaha'n se aa rahe ho ? Wo Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko pehchanta nahi tha , Chunache laparwahi ke Aalam me Bola - Qaadsiya se aa raha Hu'n _," Hazart Umar Raziyllahu Anhu ne betaabana Puchha - Jung ki kya khabar hai ? Usne bataya - Allah Ta'ala ne Musalmano ko Fateh ata farmayi _,"


★_ Ye Kehte hue Wo Aapke paas se guzar Kar Aage bad gaya , Ab Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Uske Saath Saath daudne lage , Saath Saath Jung ke Halaat puchhte jate they aur daudte jate they, Yaha'n tak k isi Haalat me Qaasid Madina Munavvara me dakhil ho gaya , Ab Jo log Saamne aa rahe they Unhone Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko dekh Kar foran Kaha - Ameerul Momineen ! Assalamu Alaikum _," Ameerul Momineen ! Assalamu Alaikum _,"


★_ Ab Qaasid ko Maloom hua k Ye Shakhs itni door se Uske ount ke Saath Saath bhaaga Chala aa raha Hai, Wo to Musalmano ke Hukmraan Hai'n Yani doosre Khalifa Hazrat Umar bin Khattab Raziyllahu Anhu Hai'n , Jinse Qaisaro Kisra thar thar kaanp rahe Hai'n, ye Maloom Hote hi wo laraz gaya , Foran Apne Ount se niche utar Aaya , Pareshani ke Aalam me Bola - Ameerul Momineen ! Mujhe Maaf Kar dijiye, Mai'n Aapko pehchanta nahi tha _,"

Koi harj Nahi , tum fikr na Karo , bas Jung ke Halaat sunate raho aur ount per sawaar ho jao , Mai'n isi Tarah Tumhare Saath Saath chalunga _,"


★_ Chunache use fir ount per sawaar hone per majboor Kar diya, Aap Uske Saath Saath chalte rahe , Jung ke bare me puchhte rahe , Yaha'n tak k Ghar aa gaya , Ab Aapne sab logo ko Jama kar ke Fateh ki Khush khabri sunayi, Ek Bahut Zabardast Taqreer Musalmano ke Saamne ki , Aakhir me farmaya - 

"_ Musalmano ! Mai'n Baadshah nahi k tumhe Gulaam banana Chahta Hu'n, Nahi ! Mai'n to khud Allah Ta'ala Ka Gulaam Hu'n, Albatta khilafat Ka bojh mere Sar per rakh diya gaya hai, Agar Mai'n usi Tarah Tumhare Kaam Karu'n k Tum chain se gharo me so'o to ye mere liye sa'adat ki Baat hai , aur Agar Mai'n ye khwahish Karu'n k tum mere Darwaze per Haazri do to ye mere liye Bad Bakhti ki baat hogi , Mai'n tumhe Taleem Dena chahta Hu'n , Lekin Baato se nahi , Amal se _,"

          ▪•═════••════•▪

*"_ Mada'in Ki Fateh aur Sahaba Ka Dariya Dajla me Ghode Daal dena _,*


★_ Udhar Iraani Qaadsiya se bhaage to Babul pahunch Kar dam liya , Ye ek Mehfooz aur bada Muqaam tha , Yaha'n aa Kar ek Baar fir Unhone Jung ki taiyari shuru Kar di , Firozaan ko lashkar Ka Sipeh Salaar muqarrar Kar liya , Hazrat Sa'ad Raziyllahu Anhu 15 Hijri me Babul ki taraf bade , Babul me iraaniyo ke bade bade Sardaar Jama they , iske bavjood ye log islami Lashkar ke Pehle hi hamle me bhaag nikle , 


★_Hazrat Sa'ad Raziyllahu Anhu Babul me thehre , Albatta Kuchh Fauj aage rawana Kar di, Us Fauj Ka Salaar Unhone Zohrah ko muqarrar farmaya, Iraani Fauj Babul se Faraar ho Kar Kosi per pahunch gayi Thi, Yaha'n iraaniyo Ka Salaar Sheharyaar tha , Zohrah kosi ke Muqaam per pahunche aur Sheharyaar ko shikasht de Kar Aage bade, 


★_ Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu Mada'in ke liye rawana hue, Aage bade to unke Saamne Dariya Dajla tha , Is per Jaha'n Jaha'n Pul bane hue they iraaniyo ne Musalmano ki Aamad ki khabar pa Kar, Sab pul tod diye they , Hazrat Sa'ad Raziyllahu Anhu jab Dariya ke kinaare pahunche to waha'n na koi pul tha na kashti , 


★_ Aapne Fauj se Mukhatib ho Kar Kaha - Biraadraane islam ! Dushman ne har taraf se majboor ho Kar Dariya ke daaman me panaah li hai , Tum ye muhim bhi sar Kar lo, Fir Maidaan saaf hai _,"

Ye Keh Kar Aapne Apna ghoda Dariya me daal diya, Unhe Dekh Kar Fauj ne bhi Himmat ki aur Sab Dariya me Utar gaye, Dariya me Bahut Tugyani thi aur Wo Mauje maar raha tha, Mauje Ghodo se aa Kar Takraati rahi aur Ye Rakaab se Rakaab Mila Kar Aapas me baate Karte Aage badte rahe , Yaha'n tak k Fauj ki Tarteeb tak me fark na Aaya , 


★_ Doosri Taraf iraani Hairatzada Andaz me ye manzar dekh rahe they, Fauj jab Kinaare ke qareeb pahunch gayi to unhe Khayal aaya , Ye insaan nahi Hai'n , Chunache chilla uthe - Dev aa gaye... Dev aa gaye _,"

Ye Kehte hue Khofzada ho Kar bhaage , 


★_ Unke Sipeh Salaar Khurzaav ki Fauj ne Musalmano per Teero ki Baarish shuru kar di , Musalmano ne un Teero ki koi parvaah na ki aur barabar aage badte rahe , Yaha'n tak k Teerandaazo ko maliya met Kar diya, Yazdgard ne jab ye khabar suni to Shehar Chhod Kar Nikal bhaaga , Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu Mada'in me dakhil hue to Har taraf sannata tha ,

          ▪•═════••════•


*"_ Mada'in ki Fateh _,*


★_ Fauj ne waha Jume ki Namaz Ada ki , Is Tarah ye waha'n Pehla Juma tha , Jo Iraaq me Ada Kiya gaya , islami Lashkar ko waha'n se bahut maale ganimat Haath Aaya, Nosherwa'n se le Kar mojooda Daur tak ki tamaam Qeemti Cheeze la Kar Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ke Saath dher Kar di gayi ,   


★_ Unme Hazaaro Zireh, Talwaare, Khanjar , Sone ke taaj aur Shaahi Libaas they , Sone Ka Ek ghoda bhi tha Us per Chaandi Ki Zeen Kasi thi , Seene per Yaqoot aur Zumurd jade hue they, Chaandi ki ek ountni thi , Us per Sone ki Palaan thi , Uski muhaar me Yaqoot piroye hue they, Sawaar bhi Sar se le Kar Paanv tak Jawahiraat se ata hua tha , in Sabse bhi Zyada Ajeeb Ek Qaleen tha , Iraani us Qaleen ko Bahaar ke Naam se pukaarte they , Us Qaleen per Darakht they , Sabza tha , Phool they Yani Poora Baag tha aur Ye Sab Jawahiraat se Taiyaar Kiya gaya tha Yani Sone Chaandi aur Motiyo'n se Taiyaar Kiya gaya tha, 


★_ Ye Sabka Sab Samaan Mujahideen ko Mila tha Lekin kya majaal k Kisi ne usme se koi cheez khud uthayi ho , Jo cheez Jis Haalat me Payi , La Kar Salaar ke aage rakh di, Jab ye Saara Samaan la Kar Sajaya gaya to door door tak Maidane Jung jagmaga utha , Hazrat Sa'ad Raziyllahu Anhu bhi Hairatzada reh gaye, 


★_ Maale ganimat qaayde ke mutabiq Taqseem Kiya gaya aur Paanchva hissa darbare Khilafat ko bhej diya gaya, Farsh aur Qadeem Yaadgaare jo'n ki To'n bhej di gayi , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke Saamne jab ye Saara Samaan chuna gaya to Aapko bhi Fauj ki dayanat per Hairat hui ,


★_ Madine me Ek Shakhs Muhalim naami rehta tha , Wo Bahut lambe Qad Ka tha , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Hukm diya - Nosherwa'n ke Libaas la Kar Muhalim ko pehnaye Jaye _,"

Ye Libaas Mukhtalif haalato ke they , Sawaari Ka alag , Darbaar Ka alag , Jashn Ka alag , Mubarak baadi Ka alag , 


★_ Chunache Baari Baari ye sab use pehnaye gaye, Jab use Khaas Libaas pehna Kar taaj sar per rakha gaya to dekhne walo ki Aankhe khairah ho gayi , Log dayr tak use Hairatzada Andaz me dekhte rahe , 

Qaleen ke bare me logo ki Raay thi k ise Jo'n Ka to'n rehne diya Jaye, Lekin Fir kaat Kar Taqseem Kar dene Ka Faisla hua , 


★_ Mada'in ke baad Sirf " Jalula " baqi reh gaya tha, Mada'in se bhaag Kar iraani Yaha'n Jama ho gaye they aur Jung ki taiyari Kar rahe they, Kharzaad Rustam Ka Bhai Uska Salaar tha , Usne Shehar ke gird Khandaq Taiyaar Kara Di , Raasto aur guzargaaho per gokhard ( Lohe ki Keele ) bichhwa diye , Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ko ye ittela mili to Aapne Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko khat Likha, Waha'n se hukm Aaya - Haashim bin Utba 12 Hazaar Fauj le Kar is muhim per Jaye _,"


★_ Is Tarah Haashim bin Utba 12 Hazaar Fauj le Kar Jalula ki taraf bade , Chaar din baad waha'n pahunch Kar Shehar Ka muhaasra Kar liya , Ye Muhaasra Ka'i Maah tak jaari raha , Aakhir Ek din iraani khoob Taiyari ke Saath bahar nikle , Musalmano ne bhi khoob jam Kar unka muqabla Kiya , Fir Allah Ta'ala ne Khaas Meharbani farmayi k Ek Zabardast Aandhi aayi , Jisse ghup Andhera ho gaya, Hazaaro iraani Andhere ki vajah se Khandaq me gir gaye, iraaniyo ke Paanv ukhad gaye, Wo Bad Hawaas ho Kar bhaage , Musalmano ke Haath betahasha maale ganimat Aaya , iska Andaza Teen Karod lagaya gaya,


★_ Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ne Fateh ki Khush khabri ke Saath Maale ganimat Ka Paanchva hissa Madina Munavvara bhijwaya , Ye Khush khabri le Kar Ziyad Reh. gaye, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne unse Jung ke Halaat Sune Fir Tamaam Musalmano ko jama hone Ka Hukm farmaya aur Ziyad Reh.se farmaya - in sabke Saamne Tamaam Waqiaat Bayan Kare'n _," Unhone bhare majme ko Halaat Sunaye aur is Tarah Bayan Kiya k Poora manzar logo ko Nazar Aane laga , Aap Hazrat Umar Raziyllahu Anhu bol uthe - khateeb ise Kehte Hai'n _,"


★_ Maale ganimat Ka Masjid Ke Sahan me dher Kar diya gaya.. Lekin us Waqt tak Andhera fail chuka tha Chunache Subeh Taqseem Karne Ka Faisla hua , Subeh ke Waqt Logo Ke Saamne maale ganimat se chaadar hatayi gayi , Dirham v Dinaar ke alawa waha'n Jawahiraat ke bhi Ambaar lage hue they , Ye Dekh Kar Hazrat Umar Raziyllahu Anhu be saakhta ro pade , 


★_ Log unke rone per bahut hairan hue k ye rone Ka Konsa moqa hai , Ye to Khushi Ka moqa hai , Logo ko hairan dekh Kar Aapne famaya - Jaha'n Maal v Daulat aati hai , Waha'n Rashk v Hasad bhi Saath aata hai _,"


★_ Yazdgard ko Jalula me iraaniyo ki shikasht ki khabar mili to Wo Halwaan ko Chhod Kar Ray ki taraf Chala gaya, Halwaan me Chand daste Fauj ke Chhod gaya , Unka Salaar Khusro Shanoom ko muqarrar Kiya tha , 

Ab Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ne Hazrat Qa'aqa'a Raziyllahu Anhu ko Halwaan ki taraf rawana Kiya, Ye Halwaan se teen meel ke Faasle per they k Khusro khud aage bad Aaya , Pehle to Usne Dat Kar muqabla Kiya Lekin Fir Shikasht ke Asaar Dekh Kar bhaag nikla, is Tarah Halwaan bhi Musalmano ke qabze me aa gaya, 


★_ Hazrat Qa'aqa'a Raziyllahu Anhu ne Aman Ka elaan Kara diya, is Tarah chaaro taraf se iraani unki khidmat me Haazir hone lage aur Jizya qubool Karne lage , is Tarah ye log islam ki himayat me aa gaye, Is Muqaam per iraaq ki had Khatm ho Jati thi, Is ilaaqe ke Fateh ke Saath hi Poora Iraan Fateh ho gaya, is Tarah Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke Daure Khilafat me Iraan ke Futuhaat Ka Silsila Mukammal ho gaya,


★_ Udhar Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ka Shaam Futuhaat Ka Silsila jaari tha aur Damishk Fateh ho chuka tha, Damishk ki Fateh ne Romiyo me Aag si laga di , Damishk ki Fateh ke baad Musalmano ne Urdun Ka rukh Kiya tha , Isliye Romiyo ne bhi Urdun ke Shehar Bisaan me Fauje Jama Kar li , is Tarah waha'n 40 Hazaar ke qareeb Romi Lashkar Jama ho gaya , is lashkar ke Salaar Ka Naam " Sakar tha ,


★_ Shaam Ka Mulk 6 Zilo me Taqseem tha , Unme Damishk, Hims , Urdun aur Filisteen mash'hoor Zile they , 


★_ Romiyo ne waha'n jis qadar bhi Nehre thi un Sabke Band Tod diye , Is Tarah Waha'n Paani hi Paani ho gaya, Keechad aur Paani ki vajah se Tamaam Raaste Ruk gaye , Lekin Islam Ka sailaab bhala unse kab ruk Sakta tha , Islami Lashkar fir bhi Bisaan pahunch gaya, Unki ye Mazbooti dekh Kar iysaai Suleh Ka Paigaam bheja Lekin Suleh na ho saki , Jung Shuru hui , Taqriban Ek ghnate Jung jaari , Aakhir Romiyo ke Paanv ukhad gaye Wo buri Tarah bad hawaas ho Kar bhaage,


★_ Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Fateh ki Khush khabri Madina Munavvara bheji aur Ameerul Momineen Hazrat Umar Raziyllahu Anhu se Maloom karwaya k in logo ke Saath kya sulook Kiya Jaye , Udhar se Jawab Aaya - Ri'aya ko Zimmi qaraar diya Jaye aur Zameen ba dastoor Zameendaaro ke qabze me Chhod di Jaye _," 


★_Is Azeemush shaan Fateh ke baad Urdun ke Tamaam Shehar Asaani se Fateh hote chale gaye, Har Muqaam per ye likh Kar diya gaya - Fateh kiye gaye logo ki Jaan , Maal , Zameen, Makanaat, Girje aur Doosri ibaadat gaahe sabki sab mehfooz rahengi , Sirf Masjido ki tameer ke liye Kisi qadar Zameen li jayegi _,"

Yani Kisi Saath bhi koi nagawaar sulook nahi Kiya gaya , Jabki Romi aur Iraani Fateh kiye gaye ilaaqo ke logo per zulm Ke pahaad Todte rahe they,


          ▪•═════••════•


*"_ Hims Ki Fateh _,*


★_ Ab Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Hims Ka rukh Kiya , Shaam Ke Tamaam Zilo me se ye ek Bada zila tha , Purana Shehar tha, Urdun ke baad ab Sirf teen Shehar baqi reh gaye they, in teeno ke Fateh hone Ka Matlab tha Poora Shaam Fateh ho gaya, Ye Teeno Shehar Baitul Muqaddas, Hims aur Antaqiya they , Antaqiya me Khud Hirakkal mojood tha , in teeno me Hims zyada qareeb tha , Isliye Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Pehle isi Ka rukh Kiya ,


★_ Hims ke Nazdeek Romiyo ne khud Aage bad Kar muqabla Karna chaha , Ek Badi Fauj Hims se nikli , Josiya ke Muqaam per Dono Fauje Aamne Saamne aa gayi, Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ke Pehle hi hamle me Unke Paanv ukhad gaye, 


★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Musirah bin Masrooq ko thodi si Fauj de Kar Hims ki taraf rawana Kiya , Raaste me Romiyo ki shikasht Khayi hui Fauj se muqabla hota raha, Un muqablo me bhi Musalmano ko Fateh hui ,


★_ Idhar Hazrat Khaalid bin Waleed Raziyllahu Anhu aur Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Hims Ka rukh Kiya , Hims ko ghere me liya gaya , Mosam bahut Sard tha , Romiyo ko Yaqeen tha k Musalman Sardi Ka muqabla nahi Kar sakenge, Hirakkal Ka Paigaam bhi Unhe pahunch chuka tha k bahut Jaldi madam pahunch jayegi aur Hirakkal Ek bada Lashkar rawana bhi Kar chuka tha , Lekin Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ne us Lashkar ko Rokne ke liye Apni taraf se islami Lashkar bhej diya, Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu us Waqt Iraaq ki muhim per they , Unke lashkar ne Romy Fauj ko wahi rok liya aur wo Hims na pahunch saki ,


★_ Abu Ubaida Raziyllahu Anhu aage bade , Raaste me Jo ilaaqe aate gaye , Wo Asaani se Fateh hote chale gaye, Yaha'n tak k Laazqiya tak pahunch gaye, Laazqiya bahut Purana Shehar tha, Uski Mazbooti ko dekh Kar Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne usse Kuchh Faasle per Padaav Kiya ,


★_ Yaha'n Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Ajeeb Hikmat Amli apnayi , Aapne Maidan me Khaaiya'n Khudwayi , Ye is Tarah khodi gayi k Dushman ko pata na chal saka , Fir Ek din Fauj ko kooch Ka Hukm de diya, Romiyo ne Lashkar ko waapas jate dekh liya, Wo Samjhe K Musalman Mayoos ho Kar chale gaye, Lekin hua Sirf ye tha k Raat ki Tareeki me islami Lashkar Nihayat Khamoshi se lot Aaya tha aur Un Khaaiyo me chhup gaya tha ,


★_ Udhar Romi is lambe Muhaasre se tang Aaye hue they, Unhone jab dekha k Musalman ja chuke Hai'n to Shehar ke Darwaze Khol Kar Baahar Nikal Aaye aur Rozmarra ke Kaamo me be fikri se mashgool ho gaye , Yahi Waqt tha Jiska Musalmano ko intezar tha , Wo Khaaiyo se nikal Aaye aur un per Achanak hamla Kar diya, Is Tarah Shehar Foran Fateh ho gaya, 


★_ Hims Ki Fateh ke baad Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Hirakkal ke Paaya Takht Ka rukh karne Ka iraada Kiya , Lekin Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Ka Hukm Aaya k is Saal aur aage na bado , Chunache rawangi rok di gayi , Fateh kiye ilaaqo me bade bade Afsaro ko bhej diya gaya, Chunache Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Damishk chale gaye, Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu ne Urdun me qayaam Kiya , Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu khud Hims me thehre ,


          ▪•═════••════•▪


*"_ Yarmook ki Taiyari _,*


★_ Damishk aur Hims se shikasht kha Kar Yahoodi Antaqiya pahunche, Unhone Hirakkal se fariyad ki k Arbo ne Tamaam Shaam Fateh Kar liya hai , Hirakkal ne unme se Chand Hoshiyar Aadmiyo'n ko Darbaar me Talab Kiya aur Unse Kaha - Arab Tumse Taaq me aur Saazo Samaan me Kam Hai'n .. fir tum unke muqable me kyu nahi thehar sakte ??


*★_ Unke Sar Sharm se Jhuk gaye , koi Kuchh na bola, Aakhir Ek Budhe ne Kaha :- Arbo ke Akhlaaq Hamare Akhlaaq se Achchhe hai't , Wo Raat ko ibaadat Karte Hai'n, Din ko Roze rakhte Hai'n, Kisi Per zulm nahi karte , Ek doosre se Bhaiyo'n ki Tarah milte Hai'n, Koi khud Ko doosre se bada nahi samajhta , Jabki Hamara haal ye Hai k Sharaab Pite Hai'n, Badkaariya'n Karte Hai'n, Ahad ki Pabandi nahi karte , Doosre per zulm Karte Hai'n, Uska ye Asar hai k Unke Kaam me Josh Paya jata hai, Humme Josh aur Jazba nahi hai _,*


★_'Is Baat Cheet ke baad Qaisar ne Rom , QustunTuniya , Jazeera Aarminiya Garz har taraf Ahkamaat bheje k Tamaam Fauje Paya Takht Antaqiya me Ek muqarrar Tareekh ko Jama ho Jaye , Usne Tamaam Zilo ke Afsaro ko likha k Jis qadar Aadmi Jaha'n se bhi muhayya ho sake , Rawana Kar diye Jaye'n, In Ahkamaat ke Pahunchte hi har taraf se insaano Ka sailaab Antaqiya ki taraf chal pada , Antaqiya ke Charo taraf Jaha'n tak Nazar jati thi Fauje hi Fauje Nazar aati thi ,


★_ Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ko ye khabar mil chuki thi, Unhone sabko jama kiya aur Unke Saamne ek Purjosh Taqreer ki , Us Taqreer me Aapne farmaya :-

"_ Musalmano ! Allah Ta'ala ne tumhe Baar Baar jaa'ncha ... Tum har Baar uski Jaa'nch me poore utre , Uske Badle Allah Ta'ala ne bhi Tumhe Kamyabiya'n ata farmayi , Ab Tumhara Dushman us saazo Samaan se Tumhare muqable me Aaya hai k Zameen kaa'np uthi hai ...Ab bata'o ... Tum kya Kehte ho ?


★_ Aakhir ye mashwara hua k Hims ko Chhod Kar Damishk ki taraf rawana ho Jaye'n, Waha'n Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu mojood Hai'n aur Arab ki sar Zameen waha'n se qareeb Hai , Jab Ye Baat Tay ho gayi to Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Habeeb bin Muslima Ko bulaya , Ye Afsare Khazana they , Aapne unse farmaya :- 


"_ Hum iysaaiyo se Jizya Lete rahe Hai'n, Uske Badle unki Hifazat Karte rahe Hai'n, Lekin is Waqt Hamari Haalat ye Hai k unki Hifazat nahi Kar sakte , Lihaza is Waqt tak unse Jitna Jizya liya hai , Wo sabka sab Unhe waapas Kar de'n aur Unse keh de'n k Hume Tumse Jo Talluq tha wo Ab bhi Hai lekin Chunki is Waqt hum Tumhari Hifazat ki zimmedari Poori nahi Kar sakte , isliye Jizya waapas Karte Hai'n .. Kyunki Jizya dar asal Hifazat Karne Ka mu'awza hota hai _,"


★_ Jab Ye Laakho ki raqam waapas ki gayi to Isaaiyo per iska is qadar Asar hua k Wo rone lage , Rote jate aur Kehte jate they - Khuda tumhe waapas laye _,"

Yahoodiyo'n per bhi Bahut Asar hua , Unhone Kaha - Toraat ki qasam ! Jab tak hum zinda hai'n, Qaisar Hims per Qabza Nahi Kar Sakta _,"


★_ Aur fir Unhone Shehar ke Darwaze band Kar liye , Jagah Jagah Pehre bitha diye , Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne ye Sulook Sirf Hims walo hi se Nahi Kiya Balki Jis qadar Zile Fateh ho chuke they, Har Jagah likh bheja - Jizye ki Jis qadar raqam vasool ki hai , Saari ki Saari waapas Kar di Jaye _,"


★_ Garz iske baad Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu Damishk ki taraf rawana hue, Unhone in tamaam Halaat ki khabar Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko bhi Kar di , Jab Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko ye Maloom hua k Musalman Romiyo ke dar se Hims Chhod Kar chale gaye Hai'n to Aapko Bahut Ranj hua , Lekin Jab Unhe bataya gaya k Fauj ke Tamaam Afsaro Ka Faisla Yahi tha Tab Unhe itminan hua , Aapne Farmaya :- Allah Ta'ala ne Kisi Maslihat ke tahat hi Tamaam Musalmano ko is Raay per Jama Kiya Hoga _,"


★_ Fir Aapne Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ko Likha - Mai'n madad ke liye Saied bin Aamir Raziyllahu Anhu ko bhej raha Hu'n, Lekin Fateh Shikasht Fauj ki zyadti per nahi hai _,"

Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Damishk pahunch Kar Tamaam Afsaro ko Jama Kiya aur Unse mashwara Kiya , Abhi mashwara ho raha tha k Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu Ka Qaasid khat le Kar pahuncha , Khat Ka mazmoon ye tha - "_Urdun ke Zilo me Aam bagawat fail gayi hai , Romiyo ki Har taraf se Aamad ne har taraf Hal Chal macha di hai , Afra Tafri fail gayi hai , Hims Chhod Kar chale Aane se bahut nuqsaan hua hai , Hamara Roab uth gaya _,"


★_ Is khat ke Jawab me Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Likha - "_ Humne Hims ko dar Kar nahi chhoda Balki Maqsad ye tha k Dushman mehfooz maqamaat se Nikal Aaye aur Islami Fauje Jo Jagah Jagah faili hui Hai'n, Wo sab Ek Jagah Jama ho Jaye'n .. aur Aap wahi'n thehre, hum aa rahe Hai'n _,"

Doosre din Unhone Urdun ki hudood me pahunch Kar Yarmook ke Muqaam per qayaam Kiya , Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu bhi unse Yahi'n aa mile, 


★_ Ye Muqaam Jung ke liye is vajah se munasib tha k Arab ki sarhad Yaha'n se qareeb tareen thi , Islami lashkar ko ye faayda tha k Jaha'n tak chahte hat sakte they, Hazrat Saied bin Aamir Raziyllahu Anhu bhi Ek Hazaar Ka Lashkar le Kar waha'n pahunch gaye,


★_ Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Ek aur Khat Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko Likha , Uske Alfaz ye they :-

"_ Romi khushki aur samundar se ubal pade Hai'n Halanki unke Josh Ka ye Aalam hai k Fauj Jis Raaste se guzarti hai Waha'n ke Raahib aur Paadri bhi unke Saath Shamil Hote ja rahe Hai'n.. un logo ne Kabhi ibaadat khano se qadam bahar nahi nikale they .. Ye sab mil Kar Apni Fauj ko josh dila rahe Hai'n _,"


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko ye khat Mila to unhone Tamaam Muhajireen aur Ansar ko Jana Kar liya , khat Unhe padh Kar sunaya .. . Tamaam Sahaba be Akhtyar ro pade aur Nihayat Pur Josh Andaz me pukaar uthe - Ey Ameerul Momineen! Hume ijazat dijiye, hum bhi jate Hai'n Apne Bhaiyo'n ke Saath mil Kar Deen per nisaar Hote Hai'n _,"

Ab to Muhajireen aur Ansar Ka Josh betahasha badh gaya, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ke Naam Ek Zordaar khat Likha aur Qaasid se farmaya :- Tum khud Ek Ek Saf me ja Kar ye khat Sunana _,"


★_ Qaasid khat le Kar pahuncha, Usne Ek Ek Saf me ja Kar khat sunaya , Isse Musalmano Ka hausla badha , Unhone Pur Josh Andaz me Taiyari shuru Kar di , Doosri Taraf Romi lashkar bhi Khoob Saazo Samaan se Les ho Kar Aage badhe , Unki tadaad Do Laakh se Kahi'n zyada thi , Kul Fauj ki 24 Safe thi , Fauj ke aage Mazhabi peshwa Paadri vagera Haatho me salibe liye Josh dila rahe they.. Aakhir dono Fauje Aamne Saamne aa gayi aur Yarmook Ka Maidaan tha , 


★_ Romi Baari Baari Apne lashkar Saamne late rahe , Unhone Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu ke Dasto ke muqable me alag alag Fauje aage bheji , Lekin un sabne Baari Baari shikasht Khayi ,


★_ Romi Sipeh Salaar Bahaan ne ne Raat ke Waqt Apne Sardaaro ko Jama Kiya aur Kaha - Arbo ko Shaam ki Daulat Ka Maza pad gaya hai.. Behtar ye Hai k Maal v Daulat de Kar Unhe taala Jaye _"

Is Raay se Sabne ittefaaq Kiya , Doosre Din Unhone ek Qaasid Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ki taraf bheja , Usne Aapki khidmat me Haazir ho Kar Kaha - Hamare Sipeh Salaar chahte Hai'n, Aap Baat Cheet ke liye Kisi Afsar ko bheje _,"


★_ Us Waqt Magrib ki Namaz Ka Waqt ho chala tha, Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne use thehraya k Namaz ke baad Baat Karte Hai'n, Wo Unhe Namaz Padhte hue Hairatzada Andaz me dekhta Raha , Namaz ho chuki to Usne Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu se Puchha - Hazrat Isaa ke bare me Tumhara kya Aqeeda hai ?

Jawab me Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Surah Nisa ki Aayat 171 tilawat ki :- 


"_ ( Tarjuma ) _ Ey Ahle Kitaab ! Tum Apne Deen me had se na niklo aur Allah ki Shaan me Sivaye Pakki Baat ke na Kahi , Beshak Maseeh Iysaa Mariyam ke bete aur Allah Ke Rasool Hai'n aur Allah Ka Ek Kalma Hai'n Jinhe Allah ne Mariyam tak pahunchaya aur Allah ki taraf se ek Jaan Hai , So Allah per aur Uske Sab Rasoolo per imaan Lao , aur ye na Kahi k Khuda Teen Hai'n, is Baat ko Chhod do , Tumhare liye Behtar hoga , Beshak Allah Akela Ma'abood hai , Wo isse Paak hai k Uski Aulaad ho , Usi Ka Hai Jo Kuchh Aasmano me hai aur Jo Kuchh Zameen me hai , aur Allah kaarsaaz kaafi hai , Maseeh Khuda Ka Banda banne se hargiz Aar Nahi karega aur na muqarrab Farishte aur Jo koi uski Bandgi se inkaar karega aur Takabbur karega Allah Ta'ala un sabko Apni taraf ikattha karega _,"


★_ Mutarjim ne jab is Aayat Ka Tarjuma Qaasid ke Saamne Kiya to Wo be Akhtyar pukaar Kar Bola - Beshak Iysaa Alaihissalam ke Yahi Ausaaf Hai'n aur Beshak Tumhara Paigambar Sachcha hai _," 

Ye Keh Kar Usne Kalma Toheed padha aur Musalman ho gaya.. Saath hi Usne Kaha - Bas , Ab Mai'n Apni Qaum ke paas waapas Nahi Jaunga _,"


★_ is per Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Qaasid se Kaha - "_ is Tarah Romi kahenge k Musalmano ne be Ahadi ki .. Hamare Qaasid ko rok liya ..Lihaza tum is Waqt to chale jao ..kal jab Hamara Qaasid waha'n se Aaye tum Uske Saath chale aana _," Usne ye Baat maan li ,


★_ Doosre Din Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Romiyo ke lashkar me pahunche, Romiyo ne Unhe Apni Shaan v Shokat dikhane ke Zabardast intezamaat Kar rakhe they , Raaste ke Dono taraf Sawaaro ki safe Qaa'im ki thi , Wo sawaar Sar se payr tak Lohe me garq they , Lekin Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu Zara bhi unse mar'oob na hue , Ulta hikaarat bhari nazro se Unhe dekhte hue guzarte chale gaye, Bilkul esa Maloom ho raha tha Jese Sher Bakriyo'n ke Rewad ko charta aage bad raha Hai , ( gor karo Musalmano ! Kabhi Hamara ye haal tha ..Aaj hum Deen Ki Mehnat ko Chhod kar kis haal me pahunch gaye Hai'n ) 


★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu Bahaan ke kheme ke paas pahunche to Usne Bahut Ahatraam se Aapka istaqbaal Kiya aur Apne barabar bithaya , Mutarjim ke zariye Baat Cheet shuru hui , Pehle Usne Hazrat Iysaa Alaihissalam ki Tareef ki , Fir Qaisar ke bare me Bola - Hamara Badshaah Tamaam Badshaaho Ka Shehanshah hai ..." Abhi Wo Yaha'n tak hi keh paya tha k Hazrat Khaalid bol uthe -

 "_ Tumhara Badshaah Zaroor esa hoga , Lekin Humne Jis Shakhs ko Apna Sardaar Bana rakha hai , Agar use Ek lamhe ke liye bhi Badshahat Ka khayal aa Jaye to hum foran use ma'azool Kar de'n _,"


★_ Bahaan ne unke Khamosh hone per fir Apni Taqreer shuru ki :- Ey Ahle Arab ! Tumhari Qaum ke log Hamare Mulk me aa Kar Abaad hue , Humne Hamesha unke Saath Dostana sulook kiye , Hamara khayal tha , Hamare is sulook ki vajah se Poora Arab hamara shukr guzaar Hoga , lekin iske khilaf tum Hamare Mulk per Chadh Aaye , Ab tum chahte ho k Hume Hamare Mulk se nikaal do ... Tum Nahi jaante , isse Pehle bhi Bahut Qaumo ne esa Karna chaha , Lekin Wo Kamyaab Nahi hue .. Ab tum Aaye ho , Tumse Zyada Jaahil aur be Saazo Samaan Qaum aur koi bhi nahi, is per Tumne ye Jurr'at ki , Khayr .. darhuzar Karte Hai'n.. agar tum Yaha'n se chale Jana Manzoor Kar lo to hum ina'am ke tor per Sipeh Salaar ko Das Hazaar Dinaar aur Afsaro ko Hazaar hazaar Dinaar aur Aam Sipahiyo ko so so Dinaar denge _," Bahaan Yaha'n tak keh Kar Khamosh ho gaya ,


★_ Ab Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Kaha :- 

"_ Beshak Tum Daulatmand ho , Hukumat ke Maalik ho , Tumne Apne Hamsaya Arbo ke Saath Jo sulook Kiya hai , Wo bhi Hume Maloom hai .. Lekin tumne un per koi Ahsaan Nahi Kiya tha Balki ye Tumhara Apne Deen ki isha'at Ka Tareeqa tha , Iska Asar ye hua k Wo iysaai ho gaye aur Aaj Wo khud Hamare muqable me Tumhare Saath Hai'n , Ye bhi Durust hai k hum Nihayat mohtaaj, Tangdast aur Khaba Badosh they , Hamara Haal ye tha k Taaqatwar Kamzor ko kuchal deta tha , Qaba'il Aapas me lad lad Kar mar Jaye they , Humne Bahut se Khuda Bana rakhe they , Unhe Poojte they , Apne Haath se but tarashte they aur uski ibaadat Kiya Karte they...,


★_ .. Allah Ta'ala ne Hum per Raham farmaya aur Humme Ek Paigambar bheja, Wo khud Hamari Qaum se they , Humme Sabse zyada Shareef , Paakbaaz aur Sakhi they , Unhone Hume Toheed Ka sabaq diya , Hume bataya k Allah Ka koi Shareek nahi , na uski koi Bivi hai na Aulaad , Wo bilkul yakta hai , Unhone Hume ye bhi Hukm diya k hum in Aqaa'id ko Duniya ke Saamne Pesh Kare'n, ..Jo inko Maan Le'n, Wo Musalman Hai'n Hamare Bhai hai'n, Jo inkaar kare Wo Jizya dena qubool kare , Hum uski Hifazat ke zimmedar Hai'n , Jo in dono Baato se inkaar karega Usse hum muqabla karenge _,"


★_ Bahaan ne ye sun kar Sard Aah bhari aur Bola :- Hum Kisi Qeemat per bhi Jizya nahi denge .. hum to Jizya Lete Hai'n, dete Nahi _,"

Is tarah koi Baat Tay na ho saki aur Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu waapas aa gaye, Chunache Ladayi ki taiyari shuru Kar di gayi ,


★_ Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ke chale Jane ke baad Bahaan ne Sardaaro ko Jama Kiya aur Unse Bola - Tumne Suna ye kya keh gaye .. Unka Davaa hai k Jab Tak tum unki Ri'aya na ban jao Jung nahi Tal Sakti . Kya tumhe unki Gulaami Manzoor hai ?_,"

Wo Sabke sab Pur Josh Andaz me bol uthe :- hum mar Jayenge , Unki Gulaami qubool Nahi karenge _," 

Chunache Jung Ka Faisla Kar liya gaya ,


★_ Doosri Subeh Romi lashkar is qadar Saazo Samaan ke Saath saamne Aaya k Musalman Hairaan reh gaye, islami Fauj ki tadaad 32 Hazaar thi Jabki Romiyo ki tadaad 2 Laakh se zyada thi , Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne ye dekh Kar Apni Fauj ke 36 hisse kiye aur Aage Pichhe unke Safe qaa'im kar di , is Tarah unki 36 safe ban gayi Fauj ke qalb Yani Darmiyaan per Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ko muqarrar Kiya , Daaye hisse per Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu aur Hazrat Sharjeel bin Hasna Raziyllahu Anhu ko Jabki Baaye Baazu per Yazeed bin Abi Sufiyaan Raziyllahu Anhu ko muqarrar farmaya, Inke alawa har Saf Ka bhi Ek Afsar tha , is Tarah 36 Afsar muqarrar kiye , 


★_ Islami lashkar ki tadaad Agarche Dushman Ke muqable me Bahut Kam thi Lekin unme Chune hue Hazraat they , Inme 100 Sahaba Wo they Jinhone Badar ki Ladayi me hissa liya tha , Badri Sahaba Ka to Apna Muqaam hai , Qabila Hameer ki ek badi jama'at thi, Qabila Hamdaan , Kholaan , Laham , Juzaam vagera ke mash'hoor Bahadur bhi Shamil they, Ek Khaas Baat ye thi k islami Lashkar me Khawateen bhi Shamil thi Jo Mujahideen ko Mukhtalif Muhimaat aur Marham Patti vagera per namoor thi, 


★_ Hazrat Miqdaad Raziyllahu Anhu ki Awaaz Bahut Dilkash thi , Wo Fauj ke aage Surah Anfaal Padhte jate they,  

Aakhir Jung shuru hui, ibtida Romiyo ki taraf se hui , Sahaba ne is moqe per is shiddat se Jung ki k Romiyo ki safe darham barham ho gayi,


★_ Hazrat Ikrama Raziyllahu Anhu islam lane se Pehle Kuffar ke lashkaro me Shamil ho Kar Musalmano ke khilaf lad chuke they , Ye Abu Jahal ke bete they , Inhone Apna ghoda aage badhaya aur Pukare :- Aao Aaj maut per kaun Bayt karta Hai ?

400 Mujahideen ne Maut per unse Bayt ki inne Zaraar bin Azd bhi they, Ye Saabit qadmi se lade , Yaha'n tak k Sabke sab Shaheed ho gaye, Ye Hazraat Agarche Shaheed ho gaye Lekin inhone Romiyo ke hazaaro Aadmi kaat Kar rakh diye they , is per Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ke Hamlo ne unki Kamar Tod Kar rakh di , Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu Unhe dabate chale gaye,


★_ Qabaas bin Asheem, Saied bin Zuber, Yazeed bin Abi Sufiyaan, Amru bin Aas, Sharjeel bin Hasna Raziyllahu Anhum jam Kar lade, Qabaas bin Asheem Ka Haal ye tha k Neze AUR Talwaare unke Haatho se toot Kar gir rahe they Magar Ek Qadam Pichhe nahi hat rahe they, Neza toot Kar girta to Kehte :- Koi hai Jo us Shakhs ko Hathiyar de Jisne Allah se iqraar Kiya hai k Maidane Jung se hatega to mar Kar hatega _," Log foran Talwaar ya neza Unhe pakda dete , Wo fir Sher ki tarah Dushman per Jhapat Padte ,


★_ Abu Alanoor ne to Yaha'n tak Kiya k ghode se kood pade aur Apne Daste se Mukhatib Hote hue bole :- Sabr aur istaqlaal Duniya me izzat hai aur Uqba ( Aakhirat ) me Rehmat .. dekhna ye Daulat Haath se Jane na paye_,"

 isi Tarah Yazeed bin Abi Sufiyaan Raziyllahu Anhu badi Be Jigri aur Saabit qadmi se lad rahe they, Ye Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyllahu Anhu ke Bhai they , Ese me Unke Waalid Hazrat Abu Sufiyaan Raziyllahu Anhu unki taraf Nikal Aaye , ye Musalmano me Josh dilate fir rahe they, Bete per Nazar padi to Kehne lage :- Beta ! Is Waqt Har Ek bahaduri ke johar dikha raha Hai, Tu to Sipeh Salaar hai .. Tujhe Shuja'at dikhane Ka zyada Haq hai , Teri Fauj Ka Ek Sipahi bhi agar tujhse bazi le gaya to ye tere liye Sharm ki Baat hogi _,"


★_ Hazrat Sharjeel bin Hasna Raziyllahu Anhu Ka ye haal tha k Romiyo ne Unhe chaaro taraf se ghair liya tha , Ye unke Darmiyaan pahaad ki tarah jame khade they , Lad rahe they aur Qurane Kareem ki ye Aayat Tilawat Karte jate they :- 

"_ ( Tarjuma ) Allah Ke Saath Sauda Karne wale aur Allah Ke Hamsaye banne wale Kaha'n Hai'n ?" 

Fauj ko Saath le Kar Aage bade aur Romiyo ki pesh qadmi ko rok Kar rakh diya,


★_ Aurto'n ne bhi is moqe per kamaal ki bahaduri dikhayi, Wo bhi Romiyo ke muqable per dat gayi , Unse bhi Musalmano ko Bahut Himmat Mili , Aurto'n ne chilla chilla Kar ye Alfaz kahe :- Maidaan se qadam Hataya to fir Hamara moonh na dekhna _,"


★_ Ab tak Jung barabar ki jari thi ,... Dono lashkar Poori Tarah date hue they Balki Romiyo Ka palla qadre bhaari tha , Ese me Achanak Hazrat Qais bin Bahira lashkar ke Pichhe SE Nikal Kar Saamne Aaye , Unhe Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Fauj ke Ek hisse per Afsar muqarrar Kar rakha tha , Unhe us hisse ke Lashkar me Pichhli taraf rehne Ka Hukm tha , Ye us moqe per aage Aaye aur is Tarah Romiyo per toote k Romi Sardaar khud Ko sambhaal na sake,


★_ Romiyo ne Apne qadam Janane ki Poori Koshish Kar Dali , Edi se le kar choti Ka zor laga dala, Magar Qais bin Bahira ke hamle se unke ukhde qadam Ruk na sake , Yaha'n tak k unki safe darham barham ho gayi , Unke Saath hi Hazrat Saied bin Zuber Raziyllahu Anhu ne Lashkar ke qalb se Nikal Kar hamla Kiya , Romi Pichhe hatte chale gaye , unki pusht per ek naala tha , Wo Pichhe hatte hatte us maale ke kinaare tak pahunch gaye, Ab Jung us maale ke paas hone lagi , Romiyo ki Laashe usme is qadae girne lagi k naala Bhar gaya,


★_ Ese me Ek Khaas Waqia bhi hua , Ghamasaan ki Jung me Habaas bin Qais badi bahaduri se lad rahe they, is dauraan Kisi ne unke Paanv per Talwaar Ka Vaar Kiya , Unka Paanv Kat Kar alag ho gaya, Unhe pata tak na Chala k Paanv Kat Kar Jism se alag ho gaya , Kuchh der baad jab pata Chala to Maidaane Jung me Talash Karne lage k Mera Paanv Kaha'n hai , Unke Qabile ke log is waqie per Fakhr Kiya Karte they,


★_ Qais bin Bahira ke hamle ke baad Romiyo ke jo Paanv ukhde to fir jam na sake , bhaagte chale gaye, Rahi Sahi kasar Naale ne Poori Kar di , Mo'rkheen ne Likha hai k Ek Laakh ke qareeb Romi maare gaye aur Musalman teen Hazaar ke qareeb Shaheed hue, 

Romiyo Ka Badshaah Qaisar us Waqt Antaqiya me tha , Use Apne Lashkar ki shikasht ki khabar wahi'n mili, Usne usi Waqt waha'n se chalne ki Thaani aur chalte Waqt ye Alfaz kahe - Alvida Ey Shaam !


★_ Ab tak Jung barabar ki jari thi ,... Dono lashkar Poori Tarah date hue they Balki Romiyo Ka palla qadre bhaari tha , Ese me Achanak Hazrat Qais bin Bahira lashkar ke Pichhe Se Nikal Kar Saamne Aaye , Unhe Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Fauj ke Ek hisse per Afsar muqarrar Kar rakha tha , Unhe us hisse ke Lashkar me Pichhli taraf rehne Ka Hukm tha , Ye us moqe per aage Aaye aur is Tarah Romiyo per toote k Romi Sardaar khud Ko sambhaal na sake,


★_ Romiyo ne Apne qadam Jamane ki Poori Koshish Kar Dali , Edi se le kar choti tak Ka zor laga dala, Magar Qais bin Bahira ke hamle se unke ukhde qadam Ruk na sake , Yaha'n tak k unki safe darham barham ho gayi , Unke Saath hi Hazrat Saied bin Zuber Raziyllahu Anhu ne Lashkar ke qalb se Nikal Kar hamla Kiya , Romi Pichhe hatte chale gaye , unki pusht per ek naala tha , Wo Pichhe hatte hatte us naale ke kinaare tak pahunch gaye, Ab Jung us naale ke paas hone lagi , Romiyo ki Laashe usme is qadar girne lagi k naala Bhar gaya,


★_ Ese me Ek Khaas Waqia bhi hua , Ghamasaan ki Jung me Habaas bin Qais badi bahaduri se lad rahe they, is dauraan Kisi ne unke Paa'nv per Talwaar Ka Vaar Kiya , Unka Paa'nv Kat Kar alag ho gaya, Unhe pata tak na Chala k Paa'nv Kat Kar Jism se alag ho gaya , Kuchh der baad jab pata Chala to Maidaane Jung me Talash Karne lage k Mera Paa'nv Kaha'n hai ?, Unke Qabile ke log is waqie per Fakhr Kiya Karte they,


★_ Qais bin Bahira ke hamle ke baad Romiyo ke jo Paa'nv ukhde to fir jam na sake , bhaagte chale gaye, Rahi Sahi kasar Naale ne Poori Kar di , Mo'rkheen ne Likha hai k Ek Laakh ke qareeb Romi maare gaye aur Musalman teen Hazaar ke qareeb Shaheed hue, 

Romiyo Ka Badshaah Qaisar us Waqt Antaqiya me tha , Use Apne Lashkar ki shikasht ki khabar wahi'n mili, Usne usi Waqt waha'n se chalne ki Thaani aur chalte Waqt ye Alfaz kahe - Alvida Ey Shaam !


★_ Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Fateh ki khabar Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko bheji , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Yarmook ki khabar ke intezar me musalsal jaag rahe they, so Nahi sake , Fateh ki khabar Mili to unhone Allah Ka shukr Ada Kiya aur Foran Sajde me gir pade ,


★_ Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu Yarmook se waapas Hims aa gaye, Unhone Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ko Tansreen Ki taraf bheja aur Aapne Halb Ka rukh Kiya , Dono ilaaqe Fateh ho gaye , Harb ke baad Antaqiya ki baari aayi , Ye Qaisar Ka Khaas Darul Hukumat tha , Romiyo aur iysaaiyo ne badi tadaad me aa Kar Yaha'n panaah li thi , Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Har Taraf se Antaqiya Ka muhaasra Kiya , Chand Roz baad Majboor ho Kar iysaaiyo ne Suleh Kar li , In Makamaat ki Fateh ne Musalmano Ka Roab Qaa'im Kar diya ,


★_ Antaqiya ke baad Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne Chaaro taraf Fauje faila di, is Tarah chhote Chhote ilaaqe Asaani se Fateh hote chale gaye , Khoon Ka Ek qatra bhi na bahana pada , Isi Tarah Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne Mur'ush per hamla Kiya aur Fateh Kiya , Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu ne Filisteen ke Aas paas ke Tamaam Shehar Fateh Kar liye , 


★_ Ab wo Filisteen ki taraf mutavajjah hue , Iysaai Qila band Kar Beth gaye , Us Waqt Tak Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu Shaam Ke Qareeb Qareeb Tamaam Zile Fateh Kar chuke they , Chunache Faarig ho Kar Unhone Filisteen Ka rukh Kiya , Ab iysaai Himmat haar gaye aur Unhone Suleh ki pesh kash ki aur Shart ye rakh di k Musalmano ke Khalifakhud aa Kar unse Suleh Kare'n , Suleh Naama unke haath se Likha Jaye , 

Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne is pesh kash ke bare me Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko khat Likha , iske Alfaz ye they - "_ Agar Aap khud Tashreef le aaye'n to Baitul Muqaddas Jung ke bager Fateh ho Sakta Hai , Iysaaiyo ne pesh kash ki hai k Aap Khud aa Kar Suleh Kare'n aur Suleh ki Shara'it Aap Khud likhe'n _,"

          ▪•═════••════•▪


*"Baitul Muqaddas Ki Fateh _,*


*"_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko ye Paigaam Mila to Aapne bade bade Sahaba Raziyllahu Anhum Ko Jama farma liya , Unse mashwara Kiya k is Silsile me Kya Karna Chahiye , Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne mashwara diya - Unhone bulaya hai to Aapko Jana Chahiye _," 

Aakhir Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ke mashware ko Pasand farmaya aur Safar ke liye Taiyaar ho gaye , Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ko Apna naa'ib muqarrar Kiya , 


★_ Aap Rajjab 16 Hijri me Madina Munavvara se rawana hue aur is Andaz se rawana hue k na to koi fauji dasta Saath liya na Bodyguard, na khidmat guzaar ki Fauj Saath li na Kisi aur qism Ka Saazo Samaan Saath liya , Yaha'n tak k Khema bhi Saath na liya, Sawari ke liye ount tha aur Sirf Chand Muhajireen aur Ansar Saath they ,


★_ Aapne Fauj ke Salaaro ko Paigaam bheja k Jaabiya Ke Muqaam per unse aa mile , Chunache Hazrat Yazeed bin Abi Sufiyaan aur Hazrat Khalid bin Waleed Raziyllahu Anhu ne usi Muqaam per Aapka istaqbaal Kiya , Aap Shehar ke qareeb pahunche to Ek ounche Teele per khade ho Kar chaaro taraf Nazar daudayi , Dushman Ke Buland v Baala Dilkash Makanaat Aapke Saamne they ,


★_ Jaabiya me Kuchh din qayaam farmaya, Iysaaiyo ko Aapki Aamad ki khabar mil chuki thi , Chunache Wo bhi isi Muqaam per pahunch gaye, Ye log Shehar ke Ra'iso me they , Jab ye log pahunche Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Fauj ke Halke me Bethe they , Musalmano ne Unko aate dekha to khayal Kiya k ye log Hamle ki niyat se Aage badhte chale aa rahe Hai'n, Chunache Unhone foran Hathiyar sambhal liye ,


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Puchha - Kya Baat hai Tumne Hathiyar kyu Sambhal liye ? 

Unhone Aane walo ki taraf ishara Kiya , Unke Kandho per Talwaare latak rahi thi, Unki taraf dekh Kar Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne farmaya :- Ghabra'o Nahi .. ye log to imaan talab Karne Ke liye aa rahe Hai'n _,"


★_ is Tarah iysaaiyo aur Musalmano ke darmiyaan Mu'ahida hua , Us per dastkhat kiye gaye, Mu'ahida ho chuka to Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Filisteen me dakhil hone ke iraade se uthe , Unke liye Ek Umda tar nasl Ka ghoda laya gaya, Aap us per Sawaar hone lage to Wo Shokhi dikhane laga , Aap us per bhi sawaar na hue aur Paidal Baitul Muqaddas ki taraf rawana hue, 


★_ Baitul Muqaddas Nazdeek Aaya to Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu aur doosre Salaar istaqbaal ke liye Aaye , Us Waqt Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Ka Libaas Bahut mamooli tha , Is Libaas ko Dekh Kar in Hazraat ne socha , Aapka Libaas Qeemti Hona Chahiye taki Baitul Muqaddas ke logo per Asar pade , Chunache Turki ghode ke Saath Ek Qeemti poshaak bhi pesh ki , Usko Dekh Kar Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne farmaya :- 

"_ Allah ne Hume Jo izzat di hai , Wo islam ki izzat hai.. aur Hamare liye Yahi kaafi hai _," 


★_ Garz usi Haalat me Baitul Muqaddas me dakhil hue , Sabse Pehle Masjid me gaye , Mehraab ke paas ja Kar Surah Swaad ( ص ) ki Aayate Sajda padhi aur Sajda kiya , Fir iysaaiyo ke Girje me Aaye , idhar udhar ghoom Kar usko Dekha ,


          ▪•═════••════•▪


*"_ Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu ki Shikayat aur Azaan _,*


★_ Baitul Muqaddas me Aapne Kai din tak qayaam Kiya , Zarurat ke Ahkamaat zaari kiye , Us Din Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu ne aa Kar ye shikayat ki :- Ey Ameerul Momineen ! Hamare Afsar parindo Ka Gosht aur Maide ki Rotiya'n khaate Hai'n.. Lekin Aam Musalmano ko mamooli Khana bhi Naseeb nahi hota _,"


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Afsaro ki taraf dekha to unhone Kaha - Ameerul Momineen ! Is Mulk me Tamaam Cheeze mil Sakti Hai'n ... Jitni Qeemat me Hijaaz me roti aur Khajoor milti hai , Yaha'n usi Qeemat me Parinde Ka Gosht aur Maida milta hai _,"

Ye sun Kar Aapne Hukm farmaya - Maale ganimat aur tankhah ke alawa har Sipahi Ka Khana bhi Muqaddar Kiya Jaye _,"


★_ Ek Din Namaz Ke Waqt Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu se darkhwast ki :- Ey Bilaal ! Aaj Aap Azaan de'n _,*"

Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu ne Kaha - Mai'n Azm Kar chuka Hu'n k Nabi Akram ﷺ ke baad Kisi ke liye Azaan nahi dunga ,.. fir bhi Aapki farma'ish ko bhi Taal nahi Sakta , Chunache Sirf Aaj Azaan de deta Hu'n _,"


★_ Jab Unhone Azaan shuru ki to Tamaam Sahaba ko Huzoor ﷺ Ka Zamana Mubarak Yaad aa gaya, Sab per gam taari ho gaya, Hazrat Abu Ubaida aur Hazrat Mua'az bin Jabal Raziyllahu Anhum to rote rote betaab ho gaye, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki bhi Hichkiya'n bandh gayi , Dayr tak ye Asar baqi raha,


★_ Isi Tarah Ka Waqia Ek Baar Madina Munavvara me pesh Aaya , Jab Hazraate Hasnain Raziyllahu Anhum ki darkhwast per Aapne Azaan di,


★_ Ek Din Masjide Aqsa gaye, Waha'n Ka'ab bin Ahbaar Reh. Ko bulaya aur unse Puchha - Namaz Kaha'n padhi Jaye ?

Ye Pehle Yahoodi they , is buniyad per unse puchha, Kyunki Unhe Masjide Aqsa ke bare me zyada Maloom tha , Unhone arz Kiya - Sakhrah ke paas padhe'n _,"

Masjide Aqsa me bhi Hajre Aswad ki tarah Ek Patthar hai , ye Patthar Ambiya Alaihissalam ki Yaadgaar hai , Is Patthar ko Sakhrah Kehte Hai'n,


★_ Islami Futuhaat Ka Daayra Roz ba Roz badta hi ja raha tha , isliye Hamsaya Saltnato ko Khof Mehsoos hua k ab Hamari Baari bhi Aayegi , Chunache Jazira ke logo ne Qaisar ko Likha - Naye Sire se Himmat Kare'n, Hum Saath dene ko Taiyaar Hai'n _,"

Unka Paigaam sun Kar Qaisar ne Ek badi Fauj Hims ki taraf rawana ki , Jazira wale 30 Hazaar ki Fauj ke Saath Hims ki taraf bade ,Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne bhi unke muqable ki taiyari shuru Kar di, 


★_Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko tamaam Halaat ki ittela di , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne 8 bade bade Shehro me fauji Chhavniya qaa'im Kar rakhi thi , Har Muqaam per Chaar Chaar Hazaar ghode har Waqt Taiyaar rehte they Taki koi fori zarurat pesh aa jaye to har Jagah Fauje rawana ho Kar moqe per pahunch sake ,Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu Ka khat milte hi Aapne Har taraf ghode dauda diye, 


★_ Hazrat Qa'aqa'a Raziyllahu Anhu lashkar ki madad ke liye Koofa se 4 Hazaar Ka Lashkar le Kar rawana hue, Wo abhi Raaste me they k Jung chhidne ki khabar suni , Lihaza Foran lashkar se alag ho Kar 100 ghudsawaaro ke Saath Aage bade aur islami Lashkar tak pahunch gaye aur Maidane Jung me kood pade ,



★_ Musalmano ke Pahle hi hamle me Arab Qaba'il pashpa Ho gaye, jesa k unhone Pahle hi Tay kar liya tha, bas unke pashpa hote hi iysaaiyo ke bhi chhakke chhoot gaye, Uske baad wo bahut thodi der maidan me thehar sake, FIR bad Hawa ho kar bhage, Shaam Ke iysaaiyo ke Saath ye Sahaba Ikrama ki akhri jung Thi, Uske baad iysaaiyo Ko Mazeed ladne ki Himmat Na Hui,


★_ in Futuhaat ke dauran 1khaas Waqia pesh aaya tha k Hazrat Umar raziyllahu anhu ne Hazrat Khalid Bin waleed Raziyllahu anhu ko sipahsalari se hata diya tha aur Hazrat Abu Ubaida raziyallahu anhu ko sipahsalari soap di thi, Hazrat Khalid Raziyllahu Anhu Fir Bhi Ek Afsar ki Haisiyat Se Islami lashkar me Shamil rahe the,  


★_ Ye Baat Nahi K unhen bilkul hi islami lashkar Se alag kar diya tha jesa K Baaz log Bayan Karte Hai'n, is Silsile me baaz Mo'rkheen ne ye bhi likha hai k Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne khalifa bante hi Pehla hukm Khalid Bin waleed Raziyllahu anhu ki ma'zuli ka diya tha, Jabki ye Baat bilkul galat hai, Hazrat Umar Raziyllahu anhu 13 Hijri me Khalifa bane the, jabki Hazrat Khalid Bin waleed Raziyllahu Anhu ko 17 hijri me sipahsalari se hataya gaya, agarche Unki Ek tajurba kaar Afsar ki haisiyat Baqi rahi thi, 


★_ is bare mein bahut si mukhtalif Rivayaat tarikhi kitabo'n me darj Hai'n , Is Silsile me Khud Hazrat Umar Raziyllahu anhu ke Alfaz aap padh Le'n, Hazrat Khalid Bin waleed Raziyllahu anhu jungo se faarig hone ke baad Jab Madina munawara aaye to Hazrat Umar Raziyllahu anhu ne unhe dekh kar farmaya :- "_ Khalid ! Allah Ki Qasam Tum Mujhe Mehboob Ho, Mai'n Tumhari izzat karta Hu'n_,"


★_ Iske bad Aapane tamam governoro ko Ye Paigamm irsaal farmaya - Maine Khalid Ko Kisi naraazgi ki ya khayanat ki Bina per ma'azool nahin kiya balki iski vajah ye Hai Ki Mai'n dekhta tha log is Khayal per pukhta Hote Ja Rahe Hai'n Ki Musalmano ko Fateh Khalid ki sipahsalari ki vajah se ho rahi hai, jabki esa Nahi Hai, Futuhaat To hume Allah Ta'ala ata kar rahe Hai'n, bas Mai'n Logo'n Ko batana Chahta tha k Jo Kuchh Karta Hai Allah karta hai _,"

Maloom hua k Asal Maslihat ye thi, Lihaza Hume ikhtilaafi Rivayat me pad Kar Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ki taraf se Dil me Kisi Badgumani ko Jagah Nahin Dena chahie,


          ▪•═════••════•▪


*"_Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ki Wafaat,*


★_ 18 Hijri me Shaam Mishr aur Iraaq me ta'uun ki waba faili, Hazrat Umar raziyllahu anhu Ko Jab is waba ke failne aur Badi tadad me logon ke halaak hone ki khabar Mili To intezam ke liye Khud ravana hue, Hazrat Abu Ubaida raziyallahu anhu se mulakat Hui To Unhone bataya - Bimari ka zor badhta hi ja raha hai_," Is per Aapane Muhajireen aur Ansar Ko bulaya aur Unse mashvara Kiya, logon ne mukhtalif mashware diye, Ek Sahab ne Kaha - aapka Yaha'n theharna munasib Nahi_," 

Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Hazrat Abbas Raziyallahu anhu se farmaya - ham Kal Yaha'n se ravana Ho'nge_," 


★_ Unki ye Baat sunkar Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne kaha - "_ Ey Umar ! Allah Ki takdeer se bhaagte ho _,"

Jawab me Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Kaha - Haa'n ! takdeere ilaahi se bhaagta Hu'n... Magar bhaagta bhi to takdeere ilaahi ki taraf Hu'n _," 

Iske baad Hazrat Umar Raziyllahu anhu Madina munawara chale Aaye Aur Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu anhu ko likha - "_ Mujhe aapse Kuchh kaam hai, aap Kuchh din ke liye Madina munawara chale Aaye'n _," 


★_ Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu samajh Gaye k Hazrat Umar Raziyllahu Anhu unhe'n is Waba ke khof se Madina munawara me bula rahe Hai'n _,"

Jawab me Likh bheja - "_ Mai'n musalmanon ko Yaha'n Chhod Kar Apni Jaan bachane Ke Liye Yaha'n se nahi Aaunga_,"

Hazrat Umar Raziyllahu anhu ye khat padh kar Ro Pade aur FIR unhe'n likha :- "_is Waqt Fauj Jaha'n mojood hai .. wo jagah Nasheeb me Hai aur martoob Hai, Aap lashkar ko lekar Kisi Aur Jagah chale Jaye'n_,"


★_ Abu Ubaida Raziyllahu anhu ne hukm ki tameel ki aur Jaabiya me chale gaye, Waha'n pahunch kar Abu Ubaida Raziyllahu Anhu is Bimari ki jad me aa gaye, Aapane Logo'n Ko Jama Kiya, unhe'n Nasihate farmyi, Aapane Hazrat Mua'az bin Jabal Raziyllahu Anhu Ko Apni Jagah sipahsalar muqarrar farmaya,.. us Waqt Namaz ka Waqt ho chuka tha, Chunache Unse kaha Aap Namaz padhay'en_," 

Hazrat Mua'az bin Jabal Raziyllahu anhu ne Namaz padhayi ,.. idhar Salam faira Udhar Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu inteqal Kar Gaye, inna lillahi wa inna ilayhi raji'un


★_ Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ka Naam Aamir bin Abdullah bin Jarah tha , Aap Ashra Mubasshara me se Hai'n Yani Ye Un 10 Sahaba kiraam me Shamil Hai'n Jinhe Duniya me Jannati hone ki basharat mili, Islam lane me Aapka nava number hai, Yani Islam lane me bhi Sabse Pehlo me Shamil Hai'n, Aap Habsha ki taraf Hijrat Karne walo me bhi Shamil they, Fir Madina Munavvara ki taraf Hijrat ki ,


★_ Tamaam Gazwaat me Nabi Kareem ﷺ ke Saath rahe, Aapke Waalid imaan Nahi laye they , Aapne Gazwa Badar me unse bhi Jung ki ,is per Allah Ta'ala ki taraf se Surah Al Mujadila ki ye Aayat Naazil hui -

"_ ( Tarjuma ) Allah aur Qayamat per imaan rakhne walo ko tum Kabhi Nahi dekhoge k Khuda aur Rasool ke Dushmano se Muhabbat rakhte Hai'n, Agarche unke Maa'n Baap Ho'n ya Aulaad ya Bhai ya Rishtedar Ho'n _,"  


★_ Gazwa Uhad me Aap ﷺ ki Peshani Mubarak me Khod ki Do kadiya'n gad gayi Thi to Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ne un Kadiyo'n ko Apne Daa'nto se Pakad kar Khee'ncha tha aur is Koshish me Aapke Saamne ke do Daa'nt nikal gaye they, Wafaat ke Waqt Aapki Umr 58 Saal thi , Allah un per Karodo Rehmate Naazil kare, Aameen.


★_ Aapke bare me Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya :- Har Ummat ka Ek Ameen hota hai , is Ummat ke Ameen Abu Ubaida bin Jarrah Hai'n _," *( Bukhari, Muslim v Mishkaat )*


          ▪•═════••════•▪


*★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Ke intezamaat _,*


★_ Hazrat Umar Farooq Raziyllahu Anhu ke Gulaam Yarfa ke alawa unke Saath Kuchh Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum they , Ek Muqaam iyla ke qareeb pahunche to Apni Sawaari se utar gaye, Us per Gulaam ko bitha diya, Khud ount per sawaar ho gaye, Raaste me koi poochhta - Ameerul Momineen Kaha'n Hai'n ? To Jawab me farmate - Tumhare aage Hai'n _,"


★_ Isi Tarah iyla me dakhil hue , Yaha'n do din thehre , Aapka Kurta Safar Ke Dauraan Sawaari ke Kajawe se ragad kha kha Kar fat gaya tha, Use marammat ke liye iyla ke Paadri ko diya, Usne Apne Haath se Pevand laga diya, Saath me Ek Naya Kurta Aapko pesh Kiya , Aapne Apna Kurta pehna aur farmaya - isme Pasina khoob Jazb hota Hai _,"


★_ Aap iyla se Damishk Aaye , Uske Zilo me do do Chaar Chaar Din qayaam farmate rahe , munasib intezam farmate rahe , Jo log Waba se halaak ho gaye they Unke Waariso ko bula Kar Unki jaydaad vagera unke hawale ki, ..Waba ki vajah se Jo jagahe Khali ho gayi Thi , Un jagaho per Naye Aadmi muqarrar kiye ,


★_ Us Saal Sakht qahat pada , Aapne qahat ke Dino me is qadar Zabardast intezamaat kiye k Laakho logo ko Bhook se bacha liya gaya, ..Usi Saal Aapne Muhajireen, Ansar aur doosre Qaba'il ki tankhwahe muqarrar ki ,


          ▪•═════••════•▪



*★_ Khozistaan Ka mo'arka _,*


★_ Hazrat Abu Ubaida Raziyllahu Anhu ki wafaat ke baad Aapne islami Lashkar ki zimmedari Hazrat Yazeed bin Abi Sufiyaan Raziyllahu Anhu ko so'npi , Unhe Qaisaar ki muhim per rawana Kiya , Ye Shehar Filisteen ke Zilo me Shumaar tha aur us zamane me bada Shehar tha , usme 300 Bazaar they , 


★_ Yaha'n pahunch Kar Yazeed bin Abi Sufiyaan Raziyllahu Anhu Bimaar ho gaye, Unhone lashkar per Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyllahu Anhu ko muqarrar farmaya, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyllahu Anhu ne Saazo Samaan ke Saath Qaisaar Ka muhaasra Kiya , Shehar ke log Shehar se Nikal Kar hamle Karte rahe , Jab Unhe Shikasht hone lagti to Foran Shehar me chale jate aur Darwaze band Kar Lete , is Tarah Shehar Fateh hone Ka Naam nahi le raha tha ,


★_ Ek Din Ek Yahoodi Hazrat Mu'awiya Raziyllahu Anhu ke paas Aaya , Uska Naam yusuf tha , Usne Ek Surang ke bare me bataya, Wo Shehar ke andar tak Jati thi, Hazrat Mu'awiya Raziyllahu Anhu ne Chand Bahaduro Ko us Surang ke zariye Qile ke andar Jane Ka Hukm diya, Unhone andar pahunch Kar Darwaza khol diya, Darwaza khulte hi Islami fauj andar dakhil ho gayi aur Fateh hui ,


★_ Futuhaat Ka Silsila Yaha'n tak Pahuncha tha k 21 Hijri me Asfahaan , 23 Hijri me Faaras , Karmaan , Sayastaan , Khurasaan Fateh hue, Aur 26 Zilhijja 23 Hijri ko Hazrat Umar Raziyllahu Anhu per qatilana hamla hua , 

          ▪•═════••════•▪


*★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Ki Shahadat _,*


★_ Madina Munavvara me Firoz naami Ek paarsi Gulaam tha , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke daur me hi jab Nihavand Fateh hua to ye Qaidiyo me Shamil tha aur Doosre Qaidiyo ke Saath Madina Munavvara bheja gaya tha , Ek Roz ye Shakhs Ameerul Momineen Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki khidmat me Haazir hua , Usne Aapse arz Kiya - Mere Aaqa Mugira bin Shoba (Raziyllahu Anhu) ne mujh per bahut bhaari mehsool muqarrar rakha hai, Aap kam karwa dijiye _,"


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne usse Puchha - Tumhe Kitna mehsool dena padta hai_," Usne bataya - Mujhe Rozana do Dirham ( 43 paise ) dena padta hai_," Ab Aapne usse Puchha - Tum kya Kaam Karte ho ? Usne Kaha - Mai'n Naqashi aur Aahingiri Ka Kaam karta Hu'n_,"

Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne irshad farmaya - is Kaam ke muqable me to ye raqam zyada nahi_,"


★_ Firoz Aapka Jawab sun Kar Naraaz ho gaya, Ese me Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne usse farmaya - Tum mere liye bhi Ek chakki bana do _," 

Jawab me Usne Kaha - Mai'n Aapke liye to esi chakki banaunga k Aap Yaad karenge _," ye Keh Kar Wo Chala gaya, Aapne Aas paas mojood logo se farmaya - Ye Shakhs mujhe qatl ki dhamki de Kar gaya hai _,"


*★_ Doosre Din Hazrat Umar Raziyllahu Anhu subeh ki Namaz Ke liye nikle , Firoz unse Pehle hi Masjid me aa chuka tha, Uske paas Ek Khanjar tha, Wo Usne Apni Aasteen me chhipa rakha tha, Wo Masjid Ke Ek Kone me dubka hua tha , Ese me Hazrat Umar Raziyllahu Anhu imaamat Karane ke liye aage Aaye , Us Waqt tak Safe'n Durust ho chuki thi, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Safe'n Durust Karane ke liye Kuchh log muqarrar Kar rakhe they,


★_ Jo'nhi Aapne Namaz shuru ki, Firoz Achanak ghaat se nikla aur Aap per Khanjar ke 6 Vaar kiye , Unme se ek vaar naaf ke niche laga , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne foran Hazrat Abdurrahman bin Auf Raziyllahu Anhu Ka Haath Pakad Kar Unhe Apni Jagah khada Kar diya aur Khud gir pade ,


★_ Hazrat Abdurrahman bin Auf Raziyllahu Anhu ne us Haalat me Namaz padhayi k Hazrat Umar Raziyllahu Anhu paas hi me pade Tadap rahe they, Firoz Vaar kar ke bhaaga , Kuchh logo ne use pakadne ki Koshish ki to Usne un per bhi Vaar kiye , Kuchh log zakhmi hue , Firoz ne jab dekha k use ghair liya gaya hai , Usne wahi Khanjar Apne Pet me gho'np Kar khudkushi Kar li,


★_ Log Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko utha Kar Ghar laye , Us Waqt tak unka khayal tha k Zakhm mamooli hai , Chunache Ek Tabeeb ko bulaya gaya, Usne Shehad aur mangwaya , Aapko pilaya gaya to dono Cheeze Zakhmo ke Raaste baahar Nikal aayi'n, Us Waqt logo ko Ahsaas hua k Aap Bach Nahi payenge ,


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne hosh me Aane ke baad Puchha - Mera Qatil kon hai ? Logo ne bataya - Firoz Paarsi , Aapne Kaha - Allah Ka shukr hai ,.. Mai'n Kisi Musalman Ke Haatho Nahi maara gaya_,"


★_ Ab Aapne Apne bete Hazrat Abdullah bin Umar Raziyllahu Anhu ko bulaya aur unse Kaha - "_ Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha ke Paas jao , unse Kaho .. Umar Rasulullah ﷺ ke paas Dafan hone ki ijazat Chahta hai _,"

Hazrat Abdullah bin Umar Raziyllahu Anhu Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyllahu Anha ke Paas Aaye to Wo buri Tarah ro rahi thi, Unhone Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Ka Paigaam pahunchaya , Aapne farmaya - "_ is Jagah ko Mai'n Apne liye mehfooz rakhna chahti thi , Lekin Aaj me Umar ko Apne Aap per Tarjeeh deti Hu'n _,"


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke zamane me Shaam ,iraaq , Jazira, Khozistaan, Ajam , Aarmina , Aazrahayi Jaan Faaras , Karmaan, Khurasaan aur makraan Fateh hue , Bluchistaan Ka Kuchh hissa bhi Fateh hua ,  


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki Sabse Badi khoobi ye thi k Jo Unki Raay Hoti thi Aksar Wohi Baat pesh aa Jati thi, Yaha'n tak k unki Bahut si Aaray Mazhab ke Ahkaam ban gayi , Kai Moqo per khud Allah Ta'ala ne Unki Raay ki taaiyd farmayi ,

         ▪•═════••════•▪

*"_Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki Shahadat 


★_ Namaz Ke elaan ke liye jab ek Tareeqa tay Karne Ka Masla Saamne Aaya to logo ne mukhtalif Mashware diye , Kisi ne Kaha Naqoos Baja liya Jaye , Kisi ne naqara bajane ki raay di, Kisi ne Aag jalane ki Baat Kahi , Lekin us Waqt Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne ye raay di :- Kyu na Ek Aadmi muqarrar Kiya Jaye Jo Namaz ki munaadi kare ?_,

Aan Hazrat ﷺ ne Hazrat Bilaal Raziyllahu Anhu ko hukm diya k Azaan de'n, Chunache ye pehla Din tha Jab Azaan Ka Tareeqa shuru hua , aur dar Haqeeqat Azaan se Behtar koi aur Tareeqa ho hi Nahi Sakta tha, 


★_ Badar ke Qaidiyo Ka maamla pesh aaya to Jo raay Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne di , Wahi bhi usi ke mutabiq Naazil hui,


★_ Aan Hazrat ﷺ ki Azwaaj Mutahraat Pehle shuru me Parda Nahi Karti thi'n , Kyunki Parde Ka Hukm Naazil nahi hua tha , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko Baar Baar is Baat Ka khayal Aaya , Aakhir Unhone arz Kar hi diya k Ey Allah ke Rasool Parda karaya Kare'n , Doosri Taraf Aan Hazrat ﷺ ko is bare me wahi Ka intezar tha , Aakhir Parde ki Aayat Naazil hui aur Tamaam Musalman Aurto'n per Parda Farz ho gaya ,


★_ Abdullah bin Uba'i munafiqo Ka Sardaar tha , Jab Wo mara to Aan Hazrat ﷺ se uski Namaze Janaza padhne ki darkhwast ki gayi. Aap ﷺ ne bhi chaha k Namaze Janaza padha de'n, Lekin us moqe per Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne roka , Magar Aan Hazrat ﷺ ne uski Namaze Janaza padha di, Us Waqt Allah Ta'ala ki taraf se Aayat Naazil hui, Usme munafiqo ki Namaze Janaza padhne se rok diya gaya, 


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Ek Roz Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ki khidmat me Haazir hue aur Unhone ye raay di - Ey Ameerul Momineen Meri Raay hai k Qur'an ko ek jagah Jama Kar diya Jaye , Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne farmaya - Mai'n wo kaam kis Tarah Kar Sakta Hu'n Jo Rasulullah ﷺ ne Nahi Kiya , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Ka'i Baar Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu se Yahi Kaha , Aakhir Allah Ta'ala ki taraf se Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ke Dil me ye Baat daali k Hazrat Umar ki raay Durust hai, Tab Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyllahu Anhu ne Hazrat Zaid bin Saabit Raziyllahu Anhu se farmaya - Qur'an ko ek jagah Jama Karo _,"


★_ Is qism ke Kai aur bhi Waqiaat pesh Aaye jab Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki raay hi daurust Saabit hui, Aap Aan Hazrat ﷺ ke Talluq ka Bahut Lihaaz Rakhte they , jab Sahaba Raziyllahu Anhum ke Wazife muqarrar Karne Ka iraada farmaya to Hazrat Abdurrahman bin Auf Raziyllahu Anhu Ka mashwara ye tha k Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Ka Wazifa Sabse Pehle muqarrar Kiya Jaye , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne farmaya- Nahi ! Sabse Pehle Aan Hazrat ﷺ ke mutalliqeen ke muqarrar kiye Jayenge _,"


★_ Chunache Sabse Pehle Banu Haashim se shuru kiye gaye, Unme bhi Hazrat Ali aur Hazrat Abbaas Raziyllahu Anhu se ibtida ki gayi , Banu Haashim ke baad Aan Hazrat ﷺ se nisbat me qareeb Tarteeb se Sabke Naam likhe gaye, Tankhwaho ki Miqdaar me bhi isi Tarteeb Ka Lihaaz rakha gaya, Sabse zyada Tankhwahe Ashabe Badar ki thi , 


★_ Hazrat Hasan aur Husain Raziyllahu Anhum agarche Ashabe Badar me Shamil nahi they , Ye Badar ki Ladayi ke Waqt Bahut chhote they , Lekin Unki Tankhwahe usi hisaab se muqarrar ki aur ye Sabse zyada Miqdaar thi , Usama bin Zaid Raziyllahu Anhu ki tankhwah Apne Bete Abdullah bin Umar Raziyllahu Anhu se zyada muqarrar ki , is per Hazrat Abdullah bin Umar Raziyllahu Anhu ne aitraaz Kiya aur Kaha - Aapne Meri Tankhwah Usama bin Zaid se kam muqarrar ki hai ... ?

Jawab me Aapne farmaya - Rasulullah ﷺ Usama ko tujhse aur Usama ke Baap ko tere Baap se zyada Azeez rakhte they _,"


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ke mashware ke bager khilafat Ka Kaam Anjaam nahi dete they, Hazrat Ali bhi Nihayat Dostana Andaz me poore Khuloos se Mashware dete they, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ko jab Baitul Muqaddas Jana pada to Aapne Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ko Apna Qaa'im Muqaam muqarrar Kar gaye, Hazrat Ali Raziyllahu Anhu bhi Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Ka had darja paas aur Lihaaz rakhte they, Yaha'n tak k Aapne Apni Pyari Beti Hazrat Umme Kulsoom Raziyllahu Anha ko Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke Nikaah me de diya, Ye Umme Kulsoom Raziyllahu Anha Hazrat Fatima Raziyllahu Anha ki Beti thi,

         ▪•═════••════•▪


*"_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu Ki Khilafat Haal _,*


★_ Apni Poori khilafat ke Dauraan unka haal Ek taraf to Kuchh is Tarah tha k Rom aur Shaam ki taraf Fauje bhej rahe Hai'n, Qaisaro Kisra ke Safiro se Baat Cheet Kar rahe Hai'n, Islami lashkar ke Sipeh Salaaro se poochh Kuchh rahe Hai'n, Governoro ke Naam Ahkamaat likh rahe Hai'n,


★_ Doosri Taraf haal ye tha k Badan per Jo Libaas tha usme 12 peband lage hue Hai'n, Sehra ki Ret per Kode Ka takiya banaye so rahe Hai'n aur Pasina Ret per beh raha Hai , Sar per Fata hua Amama hai , Paa'nv me Fati hui jootiya'n Hai'n aur Kaandhe per Pani ki mashk uthaye ja rahe Hai'n k Beva Aurto'n Ke Gharo Ka Pani bharna hai , 


★_ Raato ko Shehar Ka gasht lagaya ja raha Hai , Kisi Baddu ki Bivi ke Yaha'n Bachcha paida hone Wala hai to Apni Joza Mohatrama ko Uske Ghar pahunchane ja rahe Hai'n,.. Raat ko Kisi Beva ke Bachche Bhook se rote sunayi de gaye to Ghar se khane pine Ka Samaan bori me daal Kar Apni Kamar per Laad Kar us Ghar tak pahunchane ja rahe Hai'n, Khadim khud uthane ki Koshish Karta Hai to use Nahi uthane dete ,


★_ Khilafat ke Kaam Karte Karte thak gaye to Masjid Ke Farsh per let gaye, Madina Munavvara se Makka Muazzama Ka Safar Karna pad gaya to Koi koi khaima ya Shamiyana Saath Nahi le ja rahe , Kisi Darakht ke niche Chaadar bichhayi aur let gaye, Tabqaat ibne Sa'ad ki ek rivayat ke mutabiq Rozana Ka kharch do Dirham tha ,


★_Ahnaf bin Qais aur Arab Ra'iso ne Ek Baar Aapse mulaqaat Ka program Tay Kiya , waha'n gaye to dekha, Aasteen chadha rakhi Hai'n aur idhar udhar daud rahe Hai'n... Ahnaf bin Qais per Nazar padi to bole - Aao .. tum bhi Meri madad Karo , Baitul Maal Ka Ek Ount bhaag gaya hai aur tum jaante hi ho Ek ount me kitne Gareebo Ka hissa hai _,"

Ese me Ek Shakhs ne keh diya- Ey Ameerul Momineen ! Aap kyu Takleef Karte Hai'n, Kisi Gulaam se keh de'n, Wo dhoo'ndh layega _,"

Uske Jawab me Aapne farmaya - Mujhse badh Kar Kon Gulaam ho Sakta Hai ?


★_ Shaam Ke Safar me Qaza e Haajat ke liye Safar se utre , Aapke Gulaam Aslam Saath they , Waapas laute to unke ount per sawaar ho gaye, Udhar Ahle Shaam istaqbaal ke liye aa rahe they, Jo aata Pehle Aslam ki taraf mutavajjah hota, Wo Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki taraf ishara Karte , Logo ko hairat Hoti thi, Aapas me sargoshiya Karte they k ye Kese Ameerul Momineen Hai'n ,

Is per Aapne farmaya - Un logo ki Nazre dar asal Ajmi Shaano Shokat ko Talash Kar rahi Hai'n, Lekin Wo Yaha'n Unhe Kaha'n Nazar Aayegi ?


★_ Ek martaba khutba de rahe they, usme farmaya :- Logo ! Mai'n Ek zamane me is qadar Gareeb tha k logo ko Pani Bhar Kar diya karta tha, Wo Uske Badle me mujhe chhuhare de dete they, Wohi kha Kar Apna pet bharta tha _,"

Ye Kaha aur mimbar se utre , Logo ko Bahut Hairat hui k ye bhi koi batane ki Baat thi , Us per wazahat Karne Ke liye farmaya - Baat dar asal ye Hai k Meri Tabiyat me guroor aa gaya tha , ye Maine Uska ilaaj Kiya hai _,"


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Ka'i Nikaah kiye , Aapke Yaha'n Aulaad bhi Kasrat se hui, Unme Hazrat Hafsa Raziyllahu Anha isliye Mumtaz Hai'n k Wo Azwaaj Mutahraat me Shamil hui'n, Narina Aulaad me Hazrat Abdullah bin Umar Raziyllahu Anhu Bahut Mash'hoor Sahabi hue , Ye Bahut bade Faqeeh they , Aage chal Kar inke bete Saalim bin Abdullah Faqeeh hue , Wo Madina ke 7 Bade Faqeeho me se ek they , Abdullah bin Umar Raziyllahu Anhu ke alawa Aapke Bete Aasim Raziyllahu Anhu bhi Bahut bade Aalim faazil hue ,


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke bare me ye Baat mash'hoor hai k Duniya me Agar ek Umar aur Paida ho jata to Saari Duniya me islam aam hota, ... Garz Aapki khoobiyo ko Shumaar Karna Hamare liye Mumkin nahi, Allah Ta'ala un per Karodo Rehmate Naazil farmaye , Aameen ,


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ne Zakhmi hone ke baad 6 Sahaba kiraam ke Naam Tajveez farmaye they aur irshad farmaya tha k in 6 me se Kisi Ek ko Khalifa bana Lena _,"

Wo 6 Naam ye Hai'n - Hazrat Usman Raziyllahu Anhu, Hazrat Ali Raziyllahu Anhu, Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu, Hazrat Abdurrahman bin Auf Raziyllahu Anhu, Hazrat Talha bin Abdullah Raziyllahu Anhu aur Hazrat Zuber bin Awaam Raziyllahu Anhu, 


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki Shahadat ke baad Majlise Shura Ka ijlaas hua , Hazrat Abdurrahman bin Auf Raziyllahu Anhu ne ye Tajveez pesh ki - Humme se Shakhs Ek ke Naam ki sifarish kare _,"

Ye Tajveez Sabne Manzoor ki , Hazrat Zuber bin Awaam Raziyllahu Anhu ne Hazrat Ali Ka , Hazrat Talha Raziyllahu Anhu ne Hazrat Usman Raziyllahu Anhu Ka aur Hazrat Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ne Hazrat Abdurrahman bin Auf Raziyllahu Anhu Ka Naam Tajveez Kiya ,


★_ Isliye Khilafat ke liye Teen Naam reh gaye, inme se bhi Hazrat Abdurrahman bin Auf Raziyllahu Anhu ne farmaya - Mai'n Apna Naam waapas leta Hu'n, Aap Dono Apna maamla mujh per Chhod de'n, Jise Mai'n Khilafat ke liye muntakhab Karu'n Doosre Hazraat Use Khushi Se qubool Kar Le'n _,"

          ▪•═════••════•▪

╨─────────────────────❥

✭﷽✭


         *✭ KHILAFAT E RASHIDA.✭* 

             *✿_ खिलाफते राशिदा _✿*

            ▪•═════••════•▪                  

*┱✿_ : * *"_ Khilafate Usmaniya Ka Agaaz_,*


★_ Hazrat Ali Raziyllahu Anhu aur Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ne alag alag tanhayi me Hazrat Abdurrahman bin Auf Raziyllahu Anhu se iska iqraar Kar liya ( K Wo Jo Faisla karenge use Khushi Se qubool Kar lenge ), Hazrat Abdurrahman bin Auf Raziyllahu Anhu ne khilafat ki Bayt ke liye Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ki taraf Haath badha diya, Unke Bayt Karte hi Hazrat Ali Raziyllahu Anhu ne foran Bayt Kar li , 


★_ Iske baad waha'n mojood Sabne Bayt Kar li, iske baad Aan Musalmano ki baari aayi, Log Hazrat Usman Raziyllahu Anhu se Bayt ke liye toot pade , is Tarah Hazrat Usman Raziyllahu Anhu Musalmano ke Teesre khalifa muntakhab ho gaye, 


★_ Khilafat Ka elaan hone ke baad Hazrat Abdullah bin Umar Raziyllahu Anhu ne farmaya - Humne us Shakhs ko khalifa banaya hai Jo Ab zinda logo me Sabse Behtar Hai aur Humne isme koi Galti Nahi ki _,"

Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyllahu Anhu ne Apne khutbe me farmaya - Jo log baqi reh gaye Hai'n... Humne un Sabse Behtar Shakhs ko Apna Ameer banaya hai aur Humne isme koi kotaahi Nahi ki _,"

Ye Alfaz Unhone Apne khutbe me Kai Baar dohraye , Yaha'n tak k Madina Munavvara se Koofa gaye to waha'n ke logo ko bhi inhi Alfaz me khutba diya ,


★_ Ye Bayt 23 Hijri ki Aakhri Shab me hui , Yani Yakam Muharram 24 Hijri Aapki khilafat Ka pehla Din tha, Khilafat Milne per Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ne Musalmano ke Saamne ye khutba diya :- 

"_ Ey logo ! Tum sab Haazir ho , Umar Ka Jo hissa baqi hai bas use Poora Karne wale ho , isliye Tum Jo zyada se zyada Neki Kar sakte ho Kar lo , Bas ye Samjho k maut ab aayi k ab aayi , bahar haal use Aana Zaroor hai , Khoob sun lo Duniya Ka taaro podi hi Marko fareb se Taiyaar hua hai , isliye mohtaat raho , Duniya ki Zindgi tumhe Dhoka na de Jaye aur Allah Ta'ala se tumhe gaafil na Kar de _,"

[10/29, 4:52 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Logo ! Jo log guzar gaye unse ibrat haasil Karo , Koshish Karte raho , Gaflat na barto Kyunki tumse Gaflat Nahi barti jayegi , Aaj Kaha'n Hai'n Wo log Jinhone Aakhirat per Duniya ko Tarjeeh Di thi , Unhone Duniya ko Abaad rakha tha aur ek muddat tak usse Lutf Andaz Hote rahe they, Kya Duniya ne Unhe Apne andar se nikaal Baahar nahi Kiya ? Tum Duniya ko us Muqaam per rakho Jis per Allah Ta'ala ne use rakha hai aur Aakhirat ki talab Karo ... Allah Ta'ala ne Duniya ki aur Jo cheez Behtar Hai uski misaal Yu'n Bayan farmayi Hai :- 


"_ ( Tarjuma ) Ey Paigambar! Aap Logo ko bata dijiye k Duniya ki Zindgi ki misaal us Pani jesi hai jise hum Aasmaan se Naazil Karte Hai'n _," ( Surah Kahaf) 


★_ Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke daur me jo Futuhaat ka Silsila shuru hua tha, Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ne us Silsile ko jaari rakha, is Tarah unke Daur me Mazeed Futuhaat hui'n, Jo Futuhaat na Mukammal reh gayi Thi Wo Mukammal hui _, Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke daur me koi bahri Jung nahi hui thi, Hazrat Usman Raziyllahu Anhu Pehle khalifa Hai'n Jinhone Samundar me bhi Jung Ka Agaaz Kiya ,


★_ Iskandriya us Daur me Misr Ka Darul Hukumat tha, Romi Badshaah ki taraf se Iskandriya me governor muqarrar tha Uska Naam Maquqas tha , Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ke daur me jab Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu ne Misr Fateh Kiya to us Waqt Maquqas Suleh Karna Chahta tha Lekin Shara'it Tay na ho saki , isliye Jung hui aur Iskandriya Fateh ho gaya,

[10/31, 5:03 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Misr Ka doosra Shehar Fastaat Pehle hi Fateh ho chuka tha, (Aaj kal is Shehar Ka Naam Qahira hai ) , Qaisare Rom in Futuhaat ki vajah se bahut Gusse me tha Lekin moqe ki Talash me tha , Ab hua ye k Hazrat Umar Raziyllahu Anhu ki Shahadat ke baad Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ne Misr se Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu ko waapas bula liya , Unki Jagah Abdullah bin Sa'ad bin Abi Sarah ko governor muqarrar Kar diya , 


★_ Is Tabdeeli ki vajah se Romi Badshaah ne socha, Ab moqa Achchha hai , Usne 300 Jahazo Ka Bahri beda rawana Kiya , Uska Salaar Menual muqarrar Kiya gaya tha, Musalman is Achanak hamle ke liye Taiyaar nahi they , Muqabla to hua Lekin shikasht kha gaye aur Badi tadad me Shahadat hui , is Tarah Iskandriya per Romiyo Ka Qabza ho gaya, Ye Waqi'a Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ki khilafat ke doosre Saal 25 Hijri me hua,


★_ Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ko ittela mili to Aapne Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu ko fir se unke Ohde per muqarrar Kar diya aur Unhe Hukm diya k Iskandriya ki taraf pesh qadmi Kare'n_, Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu islami Lashkar ko le Kar Iskandriya ki taraf bade , Nakui ke Muqaam per Dono Lashkaro Ka muqabla hua , Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu ne Zabardast hamla Kiya , Dushman is hamle ki taab na saka aur Paspa hone per majboor ho gaya, Use Zabardast Jaani maali nuqsaan uthana pada , Is Tarah Musalman fir Iskandriya per qaabiz ho gaye,


★_ Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ne Abdullah bin Abi Sarah ko hukm bheja k Tyunas ki taraf pesh qadmi Kare'n, Unhone Tunas per hamla Kiya Magar Kamyaab na ho sake , Ab Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ne Hazrat Hasan , Hazrat Husain , Hazrat Abdullah bin Umar, Hazrat Amru bin Aas, Hazrat Abdullah bin Jaafar aur Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyllahu Anhum Jese bade bade Sahaba ko Abdullah bin Sarah ki madad ke liye bheja ,

[11/1, 8:38 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Abdullah bin Sarah in Sab Hazraat ko le Kar Aage bade , Romiyo Ka lashkar muqable per Saamne Aaya Lekin Usne Shikasht Khayi , islami Lashkar Aage bada to Romiyo ke Ek Laakh Bees Hazaar ke lashkar ne Tunas ke Muqaam per hamla Kiya, Aakhir Romiyo ko shikasht hui aur Tunas per Musalmano Ka Qabza ho gaya aur betahasha maale ganimat Haath Aaya,


★_ Tunas ki is Azeemush shaan Fateh ke baad Abdullah bin Abi Sarah Shumali Africa ki taraf bade , Unhone Magrib se mashrik ki taraf pesh qadmi jaari rakhi, Raaste me Jo Shehar ya Qile milte Fateh karte chale gaye, is Tarah Al Jaza'ir Fateh ho gaya Yaha'n tak k Jable Taariq pahunch gaye , is Tarah Misr se le Kar Marakish tak khilafate Usmani Ka parcham lehrane laga , Romi Faujo Ka Yaha'n se Mukammal safaya ho gaya, 


★_ Marakish ki Fateh ke baad Spain ki taraf pesh qadmi Asaan ho gayi, 27 Hijri me Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ne Abdullah bin Naafe bin Husain aur Abdullah bin Naafe bin Abdul Qais ko Likha k tum Dono Undulus ki taraf pesh qadmi Karo _," is morqe per bhi Musalmano ko Fateh haasil hui aur ye Kamyaabi Bahut badi thi, isse Musalmano ki Shano Shokat aur Taaqat me Bahut izaafa hua ,


★_ Hazrat Mu'awiya Raziyllahu Anhu Shaam Ke governor they , Unhone Hazrat Usman Raziyllahu Anhu se Qubrus per Hamle ki ijazat chahi , Ijazat milte hi Unhone Qubrus per hamla Kar diya Qubrus ke bashindo ne 7 Hazaar Salana per Suleh ki , Ye Suleh Kai Saal tak jaari rahi , 32 Hijri me Qubrus walo ne Romiyo ki madad Kar ke Mu'ahide ki khilaf varzi ki , is per Hazrat Mu'awiya Raziyllahu Anhu ne un per Hamla Kiya aur Qubrus Fateh Kar Ke use nayi Abaadi bana diya,


 ╨─────────────────────❥    


[11/3, 7:01 AM] Haqq Ka Daayi Official: *"_ Jazira Roads Saqliya _,*


★_ Qubrus ki Fateh Bahri Jungo me Musalmano ki Pehli Fateh thi aur Ye Pehla Jazira tha Jo islami Hukumat me Shamil hua , Hazrat Mu'awiya Raziyllahu Anhu aur Abdullah bin Abi Sarah Dono Tareekhe islam me Pehle Ameer Al Bahar Hai'n, Bahri bede ki shandaar qayadat inka Azeem Karnaama hai ,


★_ Qubrus ki Fateh ke doosre Saal Jazira Ardaad Fateh hua , Ye QustunTuniya ke qareeb Samundar me Ek Jazira hai , iske alawa Jazira Roads bhi Fateh hua , Ye Aham Jazira tha , iske bare me Khud Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyllahu Anhu ne Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ko in Alfaz me khat Likha :- "_ Samandar ( Bahira Rom) me Ek aur Jazira hai , Uska Naam Roads hai , use bhi Fateh Karne ki ijazat di Jaye _,"


★_ Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ne Majlise Shura se Mashwara kar ke ijazat de di, Ijazat milte hi Ameer Mu'awiya Raziyllahu Anhu Bahri beda le Kar rawana hue , Jazira Roads ke logo ne Samandar me Musalmano Ka muqabla Kiya , Nihayat Sakht Jung hui , Yaha'n maale ganimat to Bahut Mila Lekin Abaadi nahi Mili , Roads ke Jo log Jung se Bach Gaye they Unhone bhi khudkushi Kar li , Jazira Agarche Fateh ho gaya tha lekin Veeran tha , 


★_Aakhir Hazrat Mu'awiya Raziyllahu Anhu ne Apne Daur me is Jazire ko Abaad Kiya , Waha'n Musalmano ko basaya , Unke liye Masjide tameer ki , is Tarah ye Jazira Musalmano ke liye ek mazboot chhavni ban gaya , Bahira Rom ke darmiyaan me Ek Jazira Saqliya hai , Islam Se Pehle Duniya ki badi hukumate is Jazire ke liye ladti rahi , Hazrat Mu'awiya Raziyllahu Anhu ne Teen so Kadiyo'n Ka beda le Kar rawana hue , Yaha'n ke Badshaah ne Suleh ki pesh kash ki leki koi Baat Tay na ho saki , Aakhir Jung shuru hui , Lekin Baaz Khofnaak ittelaat ke peshe Nazar islami Bahri bede ko Saqliya ko Fateh kiye bager Pichhe aa Jana pada ,

[11/3, 8:57 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Romi Saltnat ke Bahri Markaz bhi jab unke Haatho se nikalne lage to Qaisare Rom Hirakkal 34 Hijri me Ek Azeem Bahri bede ke Saath Musalmano per Hamle ki niyat se rawana hua , Uska Bahri beda Ek hazaar Kashtiyo per Mushtamil tha , Ye Tamaam Jahaz Aslaha aur Jungi Saazo Samaan se lade hue they ,  


★_ Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ko jab ye ittela mili to unhone foran Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyllahu Anhu ko Likha - Tumhare Paas Jo Shaami Lashkar hai , Use le Kar Romiyo ke muqable ke liye rawana ho jao _,,"

Hazrat Mu'awiya Raziyllahu Anhu us Waqt Poore Shaam ke governor they , Unke alawa Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ne Misr ke Governor Abdullah bin Abi Sarah ko hukm bheja k Tum Misr Ka lashkar le Kar Samandar me utro _," 


★_ Ek Teesra khat Hazrat Usman Raziyllahu Anhu ne Hazrat Amru bin Aas Raziyllahu Anhu ko bhi likha k Tum Dono Lashkaro ki madad Karo _,"

In Ahkamaat ke mutabiq Misr aur Shaam ki Fauje bade Saazo Samaan ke Saath Pehle Akka pahunchi , Waha'n se Islami behriya ki ye Dono namoor Commander Hazrat Mu'awiya Raziyllahu Anhu aur Abdullah bin Abi Sarah Paanch so Jahazo Ka beda le Kar Samundar me utre , 


★_ Islami Fauj Samundar me utri hi thi k Qaisare Rom Ka Jungi beda Saamne aa gaya, Us Waqt Hawa Bahut tez chal rahi thi, Islami lashkar ne Saamne Dekha to Qaisare Rom Ka Azeemush shaan lashkar Kaali Ghata ki Tarah khada Nazar Aaya , Samundar bhi pur Sukoon nahi tha , Mauje uthti Nazar aa rahi thi , Musalman ye dekh Kar Allah Ke Huzoor gidgidane lage , Duae'n Karne lage , Us Poori Raat Musalman ibaadat Karte rahe Jabki Doosri Taraf Romi lashkar Tamaam Raat Sharaab noshi aur gaane bajane me masroof raha,


[11/3, 7:02 AM] Haqq Ka Daayi Official: 

 ╨─────────────────────❥   

*"_ Bilkhayr Ke Shaheed _,*


★_Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke daure khilafat ke 12 saalo  me Maraqis se le kar Kaabul tak islami Hukumat qaaim ho gayi, Poora Faaras, Khurasaan, Siyastaan aur iraan ki Badshahat ka khatma hua, 


★_ Salman bin Rabi'a Apni iraaqi fauj ke saath aage badhe, Raaste me jitne chhote mote qile ya shehar aate gaye , ye un sabko fateh karte gaye, Yaha'n tak k Bilkhayr naami Shehar tak pahunch gaye, in ilaaqo ka Badshah Khaqaan naami shakhs tha , Wo musalmano ke muqale me teen laakh fauj le aaya aur musalman das hazaar they , 


★_ Teen laakh ka Das hazaar se koi muqabla nahi tha , Fir bhi musalmano ne zindgi per Shahadat ko tarjeeh di , Sabke sab badi bejigri se lade , is qadar saabit qadmi dikhayi k ladte ladte sabke sab Shaheed ho gaye, in sabki qabre Aaj bhi Bilkhayr me mojood hai'n , 


★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko jab is waqie ka ilm hua to Aap bahut gamgeen ho gaye, Aapki bechaini me neend ud gayi,


 ╨─────────────────────❥    

: *"_ Saazish ki ibtida _,*


★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki khilafat me beshumar futuhaat hui , islami mumlikat ko zabardast wusat haasil hui , Daulat bhi betahasha aayi , Lekin Aapki khilafat ke Aakhri chand saal zabardast pareshaniyo me guzre, Saazish karne walo ne fitne ka bazaar garam kar diya, 


★_ Musalmano me munafiqo ka ek giroh shuru se chala aa raha tha, Allah ta'ala ne qurane  Kareen me in logo se khabardaar farmaya hai, Ye log Aan'Hazrat Sallahu Alaihi wasallam ke zamane me bhi Saazishe karte rehte they, Lekin us waqt unki daal nahi galti thi ,


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke zamane me ye log achanak uth khade hue , Ye Teen tarah ke log they , Nsbuwat ka Daava karne wale , Murtad yani islsm se nikal jane wale aur Zakaat ka inkaar karne wale, 


★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne foran inke khilaf lashkar kashi ki aur Kaamyaabi se inka khaatma kiya , Aapki Kaamyaabi per Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne ye Jumla kaha - Agar Abu Bakar na hote to Zameen per Allah ta'ala ki ibaadat karne wala koi na hota _,"

[11/5, 7:54 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke baad Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ka daur aaya, Saazishi giroh moqe ki talash me raha aur Aakhir is giroh ki Saazish se Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko shaheed kar diya gaya , Shahadat se pehle khud Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne ye khayal zaahir farmaya tha k un per Hamla ek Saazish ke tahat hua hai,  


★_ In waqiaat se saaf zaahir hai k Saazishi Anasir pehle se kaam kar rahe they , Ab Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke zamane me unhone aur zor pakad liya , Teeno khulfa ke daur me jo futuhaat hui , un futuhaat ke natije me beshumar gair muslim to musalman ho gaye aur Pakke Sachche Musalman hue they , 


★_Lekin in logo ki badi tadaad gair muslim hi thi , Ye log Jizya dene wale they ya fir gulam they, Bahut se sirf zaahiri tor per musalman hue they, Ye logo ko bhadkane ka kaam karte they ,


★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke khilaaf Saazish karne walo me sabse Aham naam Abdullah bin Saba ka hai , Ye Asal Saazish karne wala tha , YE Shakhs Yahoodi tha, Yaman ka Badshah tha , Isne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke daur hi me musalman hone ka elaan kiya tha , iska ye elaan dar asal is Saazish ka Agaaz tha, Musalman hone ka elaan karne ke baad ye Musalmano me Apne Ajeebo gareeb khayalaat failane laga,

[11/8, 9:46 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Abdullah bin Saba kehta - Ek waqt aayega jab Aan Hazrat Sallallahu alaihi wasallam ka fir Duniya me Zahoor hoga , Yani Aap Sallallahu alaihi wasallam fir Duniya me aayenge , kyunki ye kese ho sakta hai k Hazrat Iysa to dobara duniya me aaye aur Aan Hazrat Sallallahu alaihi wasallam na aaye'n ? 

Uska ye bhi kehna tha - Hazrat Ali ki zaat me Allah ta'ala mojood hai ( Na'uzubillah )_,


★_ iske alawa usne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki khilafat ke khilaf bhi baate shuru kar di , Wo kehta tha - Khilafat ke haqdaar to Ali they ,.. unke hote hue Hazrat Usman ko Khilafat ka koi haq nahi pahunchta _,"

Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki khilafat per aur bhi kai tarah ke aitrazaat karta tha, Lekin ye saara kaam wo khufiya tor per karta tha, Elaniya tor per nahi karta tha, 


★_ is silsile me ye Sabse Pehle Hijaaz gaya fir koofa aur Basra gaya , uske baad Damishk pahuncha, Damishk me logo ne uske khayalaat sune to use Damishk se nikaal diya , Ab usne misr ka rukh kiya, Misr me use kaamyaabi hone lagi , Uske giroh ne ba qayda Saazishe shuru ki, 


★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke khilaaf Saazish karne walo me se ek giroh khaarji tha , Ye Khaarji log bhi Abdullah bin Saba ki qism ke log they , Hazrat Usman Raziyallahu Anhu aur Hazrat Ali Raziyallahu Anhu dono ke khilaf they , inka kaam bhi Saazish karna tha,

[11/8, 10:15 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Saazish karne wale Baagiyo me kuchh log wo they Jinhone Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se Apne liye koi Ohda talab kiya , Lekin Aapne unhe Ohda nahi diya to ese log bhi Saazishiyo ka saath dene lage they, kuchh wo log they Jinhe Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Kisi zurm per koi saza di thi , is qism ke logo ko jab maloom hua k un jese log Misr me Jama ho rahe Hai'n to wo bhi waha pahunch gaye , is tarah Misr in logo ki Saazisho ka Markaz ban gaya,


★_ Saazish karne walo me numaya Naam ye they - Jundub bin Kaab, Sa'asa bin hunabi aur Ameer bin Hunabi, Ye log Koofe ke rehne wale they , Ye log Koofa me nit nayi Sharaarte karte rehte they, Shar aur Fitna failana inka kaam tha, Koofa ke log inse bahut tang they , Logo unki shikayat Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se ki aur Darkhwast ki unhe Koofa se nikaal diya jaye , Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne unhe Koofa se nikaal kar Shaam bhijwa diya , Waha'n Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu governor they,


★_ Is qism ke sab logo ne mil kar pehle afwahe failayi , Fir dabi zabaan me aitrazaat shuru kiye , Jab inka giroh bada ho gaya to ye log khullam khulla aitrazaat karne lage , in aitrazaat ka charcha karne lage , in logo ke bade bade aitrazaat ye they - 


1_Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Akaabire Sahaba ko mazool kar ke Apne Azeezo aur Rishtedaro ko Ohdo per muqarrar kar diya hai ,

2_ Apne Ohde Daaro ki bad unwaniyo per unhe kuchh nahi kehte ,

3_ Hakam bin Aas Raziyallahu Anhu Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Chacha they , Unse koi raaz zaahir karne ka jurm sarzad ho gaya tha, us Jurm ki saza ke tor per Aan Hazrat Sallallahu alaihi wasallam ne unhe Madina Munawwara se jala watan kar ke Taa'if bhej diya tha , Lekin Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne unhe Waapas Madina bula liya aur un per inaam v ikraam ki baarish kar di,


 ╨─────────────────────❥    

[11/10, 9:46 PM] Haqq Ka Daayi Official: *"_ Aitrazaat Ke Jawabaat _,*


★_ 4_ Abdullah bin Saad bin Abi Sarah Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Doodh shareek bhai they , ye Fateh Makka se pehle Islam laye , Aan Hazrat Sallallahu alaihi wasallam ne unhe Wahi ki kitaabat supurd farmayi , Lekin ye Quran me Tehreef karne laga aur Murtad ho gaya, Fateh Makka ke moqe per Aan Hazrat Sallallahu alaihi wasallam ne use qatl karne ka hukm farmaya, Lekin Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Sifarish kar ke uski jaan bakhshi karayi , baad me ye dobara islsm le aaya aur Hazrat Usman Raziyallahu Anhu khalifa muqarrar hue to use Misr ka governor Bana Diya ,


★_5 _ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Baitul maal se Apne Khandaan Bani Umayya ke logo ko badi badi raqame Bager kisi Shara'i haq ke inaam me de dete Hai'n, 

In bade ilzamaat ke alawa ka'i ilzamaat aur hai'n lekin wo aitrazaat fiqhi qism ke they, maslan Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Mina me Qasar namaz ke bajaye Chaar raka'ate padhte hai'n, .. vagera .., 

Hazrat Usman Raziyallahu Anhu tak ye aitrazaat pahunche to Aapne tamaam aitrazaat ke waaze jawabaat irshad farmaye,


★_ Pehla aitraz ye tha k Aapne bade bade Sahaba ko mazool kar ke Apne Azeezo ko aur Rishtedaro ko un Ohdo per faa'iz kiya , Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu Misr ke governor they, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko unse shikayat rahi k Misr bahut Sarsabz Shadaab ilaaqa hai, Zarkhaiz mulk hai Uska Kharaj jitna hona chahiye utna nahi aa raha hai, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Khalifa hue ti Aapko bhi ye shikayat paida hui, Aapne Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ko is taraf Tavajjo dilayi lekin Kharaaj fir bhi zyada na hua, is per Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ko Misr se mazool kar diya aur unki jagah Abdullah bin Saad bin Abi Sarah ko muqarrar kar diya,

[11/11, 6:44 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Doosra aitraza ye tha k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke tareeqe se hat kar Shumali Africa ke maale ganimat Ke Khums ka Khums ( 5 va hissa ) Abdullah bin Saad ko Bator inaam de diya Jiska unhe koi haq nahi pahunchta , Yani maale ganimat ki ye taqseem Quran, Hazrat Abu Bakar aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhum ke hukm ke khilaaf hai ,


★_ is Aitraz ka jawab mulahiza farmaye'n :- Abdullah bin Saad bin Abi Sarah Fateh Makka se pehle islam laya tha Lekin Murtad ho gaya tha, Fateh Makka ke moqe per Aan Hazrat Sallallahu alaihi wasallam ne Jin Chaar Afraad ko qatl ka hukm saadir farmaya tha unme ek ye bhi tha , Lekin Hazrat Usman Raziyallahu Anhu use le kar Aap ﷺ ki khidmat me haazir hue to usne Tauba ki, Naye sire se islam qubool kiya, is tarah unki jaan bakhshi ho gayi, 


★_ Is shakhs ko Hazrar Usman Raziyallahu Anhu ne Misr ka governor muqarrar nahi kiya tha balki Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke daur me bhi ye Misr ke balaayi hisse ka governor tha, Us waqt Misr ke do hisse they, Balaayi hisse ka governor ye tha aur zeri hisse ke governor Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu they, Jab Kam Kharaaj ka masla paida hua to Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ko mazool kiya to use Misr ke baqi hisse ki governori bhi soa'np di , 


★_ Ab is poore maamle me Hazrat Usman Raziyallahu Anhu per is aitraz ki bhala kya gunzaish hai, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ek Murtad ko Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me laye aur usne islam qubool kiya, ye to bahut bada Neki ka kaam hai k ek Murtad ko islam ki taraf le aaya jaye, Tauba karne se islam saabqa gunaah maaf kar deta hai ya nahi ?

[11/12, 10:17 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Islam ki tareekh me esi beshumar misaale mojood hai'n, beshumar logo ne islam se dushmani me koi kasar utha nahi rakhi , musalmano per tarah tarah ke zulm dhaye lekin jab wo log islam le aaye musalman ho gaye to unke sab gunaah maaf ho gaye aur, iski misaal Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke daur me mulahiza farmaye'n :-


★_ Ash'as bin Qais ne nabuwat ka Daava kiya, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne jab Murtado ke khilaf Jung shuru ki to ye giraftar hua , Use Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke saamne pesh kiya gaya, Aapne na sirf use maaf kar diya, balki Apni behan Umme Farwa ka nikah bhi uske saath kar diya, 


★_ Isi tarah Abdullah bin Saad ko maafi mili, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke zamane me use Misr ke ek hisse ka governor muqarrar kiya yani governor ke ohde per to pehle hi tha, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne to sirf itna kiya tha k Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ki mazooli ke baad use Saare misr ka governor muqarrar kar diya tha aur ye baat bhi saabit hai k usme Salahiyate mojood thi, Usne Bahri junge ladi, Ab Agar ye Shakhs Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ka Rishtedar tha to kya is buniyad per uski Salahiyato se fayda nahi uthaya ja sakta tha,


★_ Doosra aitraza ye tha k Maale ganimat ke Paanchve hisse ka Paanchva hissa Bator inaam Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne use de diya, iski tafseel ye hai k Africa ko fateh karna us waqt mushkil tareen muhim thi, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne hausla Afzaa'i ke liye Abdullah bin Saad se vaada kiya tha k Africa fateh ho gaya to mai'n maale ganimat ke Khums ka Khums tumhe dunga , Chunache Africa ki fateh ke baad Abdullah bin Saad ne ye hissa maale ganimat se apne paas rakh liya aur baqi Medina Munawwara bhej diya, Jab logo ne is per aitrazaat kiye to Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne jawab me farmaya - Abdullah bin Saad ne jo kuchh Kiya wo mere hukm se kiya hai lekin Agar Aap logo ko is per aitraz hai to Mai'n ye maal waapas le lunga _,"


★_ Chunache Aapne Abdullah bin Saad ko is bare me likha , Usne maale ganimat ka wo hissa waapas kar diya, ( dekhiye Tareekh Tibri -2/ 253)

[11/13, 8:25 AM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Ab gor kijiye is waqie me Hazrat Usman Raziyallahu Anhu per aitraz wali koi baat ? 

Aan Hazrat Sallahu Alaihi wasallam se iski misaal mulahiza farmaye'n - Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Gazwa Badar me shareek na ho sake, Unki Joza Mohatrama shadeed bimaar thi, Aan Hazrat Sallallahu Alaihi wasallam ne unhe Maale ganimat se ek mujahid ka poora hissa ata farmaya, is misaal ke hote hue kya un logo ko Hazrat Usman Raziyallahu Anhu per is aitraz ka koi haq tha ? Hargiz nahi, iske bavjood jab logo ne aitraz kiya to Aapne wo Raqam waapas le li aur Baitul maal me jama kara di,


★_ Doosra ilzam ye laga k Aapne bade bade Sahaba ko mazool kar ke Apne Rishtedaro ko un Ohdo per muqarrar kar diya, iska jawab mulahiza farmaye'n - 

"_ 24 Hijri me Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne mugira bin Shoba ko koofe ki governori se mazool kar ke waha Hazrat Saad bin Abi waqaas Raziyallahu Anhu ko muqarrar farmaya, Lekin do saal baad hi halaat kuchh ese paida hue k Aapne Hazrat Saad bin Abi waqaas Raziyallahu Anhu ko bhi Ohde se hata diya aur unki jagah Banu Umayya ke ek Nojawan Waleed bin Uqba ko koofe ka governor muqarrar kar diya, 


★_ Aitraz karne walo ne is per Do tarah ke aitraz kiye, Ek ye k Jaldi Jaldi governoro ko mazool karna intezami mamlaat me nakaami ki daleel hai, Doosre ye k Jaleelul Qadr Sahabi ko mazool kar ke unki jagah Apne Khandaan ke ek Nojawan ko muqarrar kiya , in dono aitrazaat ke jawabaat mulahiza farmaye'n :-


★_ Koofa aur Basra in dono Shehro ke log Ajeeb mizaaj ke log they, Shikayat per Shikayat karte rehna inki aadat thi, in dono Shehro ke halaat Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke daur se hi kharab chaie aa rahe they, Jo Shakhs bhi Yaha'n governor ban kar aata ye kuchh din to unki ita'at karte fir kisi na kisi bahane se uske khilaf aitraz shuru kar dete, ye goya in logo ka shoq tha, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu tak inse tang aa gaye they, Ek martaba to Aapne nihayat gusse me aa kar farmaya tha -  

"_ Allah panaah me rakhe ! Koofe ke log bhi Ajeebo gareeb log hai'n, Agar in per koi mazboot haakim muqarrar karta hu'n to ye log usme Keede nikaalne lagte hai'n aur agar kisi Kamzor ko haakim banata hu'n to ye use zaleel karte hai'n_,"

[11/14, 10:19 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Koofa ki tarah Basra ka haal bhi esa hi tha, Chunache Jis zamane me Mugira bin Shoba yaha'n ke governor they us waqt bhi Yaha'n ke logo ne un per zina ka ilzaam laga diya, Unhone Hazrat Umar Raziyallahu Anhu tak ye muqadma pahunchaya lekin Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne ye Shikayat pakad li thi, iske bavjood intezami mamlaat ki vajah se Aapne Mugira bin Shoba ko Waha'n se hata diya,


★_ Matlab ye tha k Hazrat Umar Raziyallahu Anhu un logo se naraaz they, Aapne Mugira bin Shoba ki jagah Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ko governor muqarrar karne ka iraada farmya to unse kaha - Abu Moosa ! Mai'n tumhe ek ese Shehar ka governor Bana kar bhejna chahta hu'n Jahan's Shaitan ne gh'onsla Bana rakha hai ,


★_ in waqiaat se maloom hua k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ka kya zikr hai Koofa aur Basra ke halaat to Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke zamane se kharab chale aa rahe they k koi governor Waha'n zyada dino tak nahi reh sakta tha, isi buniyad per Hazrat Umar Raziyallahu Anhu tak mazboor they k jald se jald governor tabdeel Kare'n , Agar Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko esa karna pada to isme aitraz wali konsi baat hai , 


★_ Aapne Waleed bin Uqba ko Waha'n ka governor muqarrar kiya isliye k Ye Bahut Sakht mizaaj they, Ye Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Maa'n Shareek Bhai they, Jis Din Makka Fateh hua us Roz islsm laye, Aan Hazrat ﷺ ne inhe hi Bani Mustalaq ke Sadqaat ka incharge bana kar bheja tha , Bahut Soojh boojh wale they, iraade ke pakke they, inki inhi khoobiyo ki vajah se Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne bhi inhe Jaziratul Arab ka A'ala Afsar muqarrar kiya tha, Ab Agar Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne inhe koofa ka governor muqarrar kiya to ilzaam lagaya gaya k Aapne Apne qareebi Rishtedaro ko ohde diye , Kis tarah durust ho sakta hai ?

[11/15, 6:21 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Ab Hakam bin Aas ke bare me bhi padh lijiye , Ye Haszat Usman Raziyallahu Anhu ke Chacha they, Fateh Makka ke moqe per musalman hue aur Madina Munawwara me rehne lage, inke bare me Aan Hazrat ﷺ ko maloom hua k .,..... Ye baat ko raaz nahi rakh sakte, Raaz ki baato ko bayan kar dete hain, isliye Aan Hazrat ﷺ ne inhe Taa'if bhej diya, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki khilafat tak ye wahi'n rahe, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Khalifa hue to inhe Madina waapas bula liya, Ye Aakhir Umar me Nabeena ho gaye they, 


★_ is per aitraz kiya jata hai k Jis Shakhs ko Aan Hazrat ﷺ ne Madina Munawwara se Taa'if jaja watan kar diya tha, Use Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne waapas Madina bula liya, isme bhala aitraaz ki kya baat thi, Aan Hazrat ﷺ ki wafaat ke baad Aap ﷺ ka konsa raaz faash kar sakte they bhala, un per ilzam to yahi tha k wo Aan Hazrat ﷺ ke raaz faash kar diya karte they, 


★_ Ek ilzaam ye tha k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Apne Rishtedaro ko Baitul maal se badi badi raqame aur jaagire Bator inaam de dete Hai'n, is silsile me Abdullah bin Saad ko maale ganimat ke Paanchve hisse ka Paanchva hissa dene ka ilzaam lagaya tha, iska jawab pehle aa chuka hai k un logo ke aitraz karne per Aapne wo maal unse waapas le kar Baitul maal me jama kara diya tha,


★_ Marwan bin Hakam ke bare me ilzaam lagaya gaya tha k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne unhe Africa ke maale ganimat ka Paanchva hissa diya lekin tareekh ki rivayaat is baat ko galat qaraar deti hai'n , Mashhoor tareen Mo'rakh ibne Khaldun ne likha hai k wo hissa Marwan bin Hakam ne Paanch laakh dinaar me khareed liya tha, baaz log jo kehte Hai'n k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne unhe Bator atiya diya tha, kehna sahi nahi hai, *( Tareekh ibne Khaldun- 2/129)*

[11/16, 9:03 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Yaha'n ye baat bhi qabile gor hai k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu khud bahut zyada daulatmand they,.. aur ye daulatmandi unhe Islam se pehle se haasil thi, Fir sakhi bhi bahut they, Unki sakhawat ki rivayaat beshumar hai'n, Esa shakhs Baitul maal ka khazana kyu bila vajah doosro ko dene laga.. Wo to Apne paas se bhi de sakte they, Chunache Jab Mulk me fasaad badha to Aapne logo ke majme me farmaya :-


"_ Aur ye log kehte hai'n k mai'n Apne Ahle khana se muhabbat karta hu'n aur unhe deta hu'n, Haa'n mai'n unse muhabbat karta hu'n, Lekin unki Muhabbat mujhe na insaafi per Amaada nahi karti balki mere Ahle Bait per Jo doosro ke huqooq hai'n, mai'n unse dilwata hu'n, Raha unhe kuchh dena to mai'n unhe Apne maal se deta hu'n aur musalmano ka maal to na mai'n Apne liye halaal samajhta hu'n na kisi aur shakhs ke liye, Mai'n Aan Hazrat ﷺ ke zamane me aur Hazrat Abu Bakar aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhum ke zamane me bade bade atiyaat apni kamayi se deta raha hu'n,


★_ Ye log Jo ji me aata hai keh daalte hai'n, Allah ki qasam ! Maine kisi Shehar per Kharaaj ka koi esa bojh nahi daala aur Jo kuchh bhi vasool hua hai wo sabka sab maine musalmano per kharch kiya hai , Fir mere paas Jo kuchh aaya hai wo maale ganimat ka paa'nchva hissa aaya hai, is maal me se mere liye koi cheez halaal nahi thi, Musalmano ko akhtyar tha k mere mashware ke bager jaha'n chahe kharch kare'n, Allah ta'ala ke maal me se ek paise ke barabar bhi koi cheez idhar udhar nahi hui aur maine usme se koi cheez hadap nahi ki, mai'n Jo kuchh khaata hu'n Apne maal me se khaata hu'n_,"

*( Tarekh Tibri - 4/ 347)*


★_ Sabne ye taqreer suni aur kisi ne koi aitraaz na kiya , balki Sabne un baato ko Tasleem kiya, Sabne kaha - Hum Tasleem karte hai'n, Aapne Sach kaha _,"

Koi ek Awaaz bhi mukhalfat me na uthi aur iska saaf matlab ye hai k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu per kisi tor per bhi kisi bhi aitraaz ki koi zara si bhi gunza'ish nahi thi _,

[11/17, 8:02 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Aitraaz karne walo ne ek Aitraaz ye kiya tha k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Madina Munavvara ki Charagaaho me Apne Jaanwar charate hai'n, Doosre Logo ke Maweshi un Charagaaho me nahi ja sakte, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Apne khutbe me is Aitraaz ka jawab bhi diya, Chunache Farmaya :-


★_ Ye log Charagaaho me Apne Jaanwar charane ka ilzaam lagate hai'n, Sun lo ! Maine wohi Charagaahe Makhsoos ki hai'n Jinko Hazrat Abu Bakar Siddiq aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhum ne kiya tha, Un Charagaaho ko Sadqaat ke jaanwaro ke liye muqarrar kar diya hai taki Sadqaat vasool karne walo me aur doosre logo me koi jhagda na ho, iske bavjood agar doosre logo me se koi Apne Jaanwar le kar un Charagaaho me aa jata hai to use mana nahi kiya jata hai, na unke Jaanwaro ko hataya jata hai, bahar haal ye jo bhi intezamaat hai'n Sarkari Jaanwaro ke liye hai'n, Mere zaati Jaanwaro ke liye nahi hai'n, Mera haal to ye hai k Jab mai'n khalifa hua tha us waqt ou'nt Bakriya'n sabse zyada mere paas they lekin Aaj Aalam ye hai k le de kar ab mere paas sirf ek Bakri aur Do ou'nt hai'n, Ye ou'nt bhi mere Hajj ke liye hai _,"


★_ Ye farmane ke baad Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne logo se puchha, Kya esa nahi hai ?

Saara Majma ek Awaaz ho kar bola, Beshak esa hi hai, 

Aap gor Kare'n, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke paas to us waqt Apne do ou'nt aur ek Bakri ke alawa koi Jaanwar tha hi nahi to wo Madina Munavvara ki Charagaaho ko Apne Jaanwar charane ke liye kis tarah muqarrar kar sakte they _,"


★_ Ek Aitraaz ye tha k Nojawano ko bade bade Ohde diye ja rahe hai'n, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne is Aitraaz ka jawab dete hue farmaya - isme Aitraaz ki konsi baat hai, Agar ek Nojawan me Salahiyat hai to use Ohda milna chahiye, Kya Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ne bade bade Sahaba Per Osama bin Zaid Raziyallahu Anhu ko No Umri ke bavjood Lashkar ka Salaar muqarrar nahi farmaya tha,

Ye farma kar Aapne puchha - Kya esa nahi hai ?

Sabne ek zubaan ho kar kaha - Beshak esa hi hai ,


★_ Ek Aitraaz ye tha k Arab se baahar Apne logo ko Aapne Zameen ke tukde de diye hai'n, is Aitraaz ke jawab me Aapne Khutbe me farmaya :- 

"_ Jo Zameene fateh hoti gayi Wo Muhajireen aur Ansar me mushtaraka rahi, fir unme se jo Hazraat Fateh ki gayi zameeno me Abaad ho gaye wo wahi'n rehne lage lekin unme se jo Hazraat Bilaad ( Shehar ) Arab me waapas aa gaye, Maine Fateh kiye gaye ilaaqo me unki khaali padi zameeno se tabaadla kara diya Jo waha'n ja kar Abaad hona chahte they, Badti hui Abaadi ke liye esa karna zaroori tha, isliye isme Aitraaz ki konsi baat hai, Matlab ye hai k unhe Zameene tabaadle me di gayi hai _,"


 ╨─────────────────────❥    

[11/18, 9:14 PM] Haqq Ka Daayi Official: *"_ Jaali Khat Ka Masla _,*


★_ in Aitrazaat me sabse bada aur Aham jo Aitraaz lagaya gaya, Uska pashe Manzar mulahiza ho :-.

Aitraaz karne wale Misri logo ka ek wafad Madina Munavvara ki taraf rawana hua, Usme Koofe aur Basra ke log bhi shamil they, Unke kuchh mutalbaat they, Ye Apne mutalbaat zabardasti manwane ke liye aaye they, They bhi Muslah ( Hathiyarband ), Ye log Madina Munavvara ke nazdeek pahunch gaye they, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko unke bare me pata chala to Aapne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko unki taraf bheja k unhe Samjhaye, Hazrat Ali ne un logo se mulaqaat ki , unhe Samjhaya bujhaya aur Aakhir wo waapas jane per Amaada ho they, Yani Madina Munavvara me Dakhil hone se pehle hi waapas rawana ho gaye, 


★_ Abhi ye Raaste me they k un logo ko ek Shakhs mila, Unhone usse puchha - Tum kon ho aur Kaha'n ja rahe ho ? Usne bataya - mere paas khalifa ka ek khat hai ye Khat Misr ke governor ko pahunchana hai_,

Wafad ne uski talashi li aur wo khat baramad kar liya, Us khat per Marwaan bin Hakam ka naam tha, Yani wo khat Marwaan bin Hakam ne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke hukm se likha tha, Us khat me likha tha jab ye Wafad Misr pahunche to in Sabki gardane uda di jaye_,"


★_ ye khat padh kar Wafad ko bahut gussa aaya lihaza waapas jane ke bajaye fir Madina Munavvara ki taraf lot pade aur Madina Munavvara me Dakhil ho kar Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke ghar ko ghair liya, Matlab ye tha k in logo ka Aitraaz ye tha k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne humse bad Ahadi ki hai aur unhe dhoke se qatl karne ka mansooba banaya hai, Jab unhone is khat ka maamla Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Saamne rakha to Aapne foran kaha - Allah ki qasam ! Ye khat maine nahi likha na mujhe iske bare me koi ilm hai ?


★_ Is khat ka maamla bahut aham hai, Marwaan bin Hakam Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki taraf se Sarkaari khutoot likhta tha aur us khat per usi ka naam tha, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne use ye khat likhne ka koi hukm nahi diya tha, Ab sawal ye hai k khat kisne likha, Agar Marwaan ne likha tab bhi usne ye Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke hukm se nahi likha tha aur Agar khat Marwaan ne nahi likha to fir kisne likha tha, iski tehqeeq ki zarurat thi,

[11/20, 6:52 AM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Baat dar Asal ye thi k wo khat bilkul jaali tha, is Saazish ka ek hissa tha, Abdullah bin Saba ne ya uski jama'at ke kisi Aadmi ne likha tha aur Marwaan se us khat ka koi talluq nahi tha,


★_ Iska Saboot is baat se milta hai k isi qism ka ek khat un logo ko Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ka bhi mila tha, Us khat me un logo ko waapas madina ki taraf lot aane ki dawat di gayi thi aur Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke saamne Apne mutalbaat pesh karne ke liye likha gaya tha, Chunache jab ye Log Madina waapas aa kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se mile aur unse darkhwast ki k Aap bhi hamare saath khalifa ke paas chale'n, to Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya - Allah ki qasam mai'n Tum logo ke saath hargiz nahi jaunga , Ye Sun kae ye log bigad gaye aur bole - Agar Aap hamare saath chalne per Amaada nahi hai'n to fir Aapne hume khat kyu likha tha, Unki ye baat sunkar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu hairatzada reh gaye, Aapne farmaya - Nahi ! Allah ki qasam ! Maine tum logo ko koi khat nahi likha_,"


★_ Is Waqi'e se saaf zaahir hai k Jin logo ne Marwaan ke naam wala khat likha unhi logo ne ek khat in logo ko Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki taraf se bhi likha tha, Ye baat bilkul saaf nazar aa rahi hai kyunki ek taraf to Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne ye farmaya k Allah ki qasam mai'ne esa koi khat nahi likha, Doosri taraf Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne bhi yahi farmaya , Ab ye dono Sakhsiyat esi hai'n jinke bare me hum soch bhi nahi sakte k ye jhoot bol sakti hai'n, Saaf zaahir hai k ye Saazish Abdullah bin Saba ke giroh ki thi,


★_ Mash'hoor Mo'rikh Allama ibne Kaseer Reh. Likhte hai'n - is jama'at ne Hazrat Talha Raziyallahu Anhu aur Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu aur Doosre Akaabir Sahaba ki taraf se bhi isi qism ke khutoot mukhtalif Shehro me bheje they, isi jama'at ne yahi chaal Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Daur me chali thi aur Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha aur Hazrat Ali Raziyallahu Anhu me jung kara di thi,

[11/20, 8:55 AM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Un dino me ek Aham waqia Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki muhar lagane wali Anguthi ka Ku'nwe me girna hai, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ek Roz "Arees " ke munder per Khade they Anguthi Aapki ungli se nikal kar Ku'nwe me gir gayi, Aapne Ku'nwe me Anguthi ko khoob talash karaya lekin Anguthi na mili, Aapne us per inaam bhi muqarrar kiya magar Anguthi na mil saki,


★_ Ye Waqia Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki khilafat ke Saatve saal pesh aaya, Us Zamane me Fasaad karne wale Apni Saazish shuru kar chuke they, Lihaza is baat ka zabardast imkaan hai k Anguthi Ku'nwe se nikale jane wale pani me se kisi Saazishi ne chura liya ho aur is tarah ye Anguthi Abdullah bin Saba ke paas pahunch gayi ho,


★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se logo ne puchha tha k Agar ye khat Aapne nahi likha to is khat per muhar kese lagi hui hai, is sawal ka jawab Anguthi wala waqia de raha hai, Muhar lagane wali Anguthi zaroor kisi Saazishi ke haath lagi thi aur Jaali khutoot per Muhar usse lagayi gayi thi, 


★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne is sawal ka jawab ye farmaya tha :- Un logo ne us jesi Anguthi bana li hai _,"

Iski misaal Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke zamane me mulahiza farmaye'n, Aapke Daur me ek Shakhs Muin bin Za'idah ne Muhare Khilafat jesi ek Muhar bana li, Wo uske zariya Kharaaj ki badi badi raqame Vasool kiya karta tha, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko uske Fareb ka pata chala to Aapne Koofa ke governor Hazrat Mugira bin Shoba Raziyallahu Anhu ko hukm bheja k us Shakhs ko foran giraftar kiya jaye aur saza di jaye, 


★_ in baato se ye saabit ho jata hai k wo khat Marwaan ne nahi likha tha, na hi khilafat ke Amle me se kisi ka ye kaam tha balki ye sab kuchh Abdullah bin Saba ki Saazish thi,


 ╨─────────────────────❥    

★_ Fitno Ki Aag _,*


: ★_ Garz Baagiyo ke tamaam Aitrazaat bilkul be Buniyaad they aur Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki naram mizaaji ki vajah se diler ho rahe they, Aap bahut Suleh Pasand they, Koofa se Saied bin Aas aur Abdullah bin Saad bin Abi Sarah Misr se in logo ke bare me barabar ittela Aapko bhejte rahe aur inke khilaf kaarwayi talab karte rahe they lekin Aap jawab me yahi hidaayat bhejte rahe k fitna pasando ko ek shehar se doosre shehar bhej de'n, Lekin unhe saza ki ijazat Aapne kabhi na di, Mukhtalif zariyo se unhe samjhane ki koshish karte rahe, us waqt bade bade Sahaba ya to Madina Munavvara me rahe nahi they, Mukhtalif Shehro me ja base they ya fir bahut budhe ho gaye they, iske alawa halaat se dil bardashta ho kar unhone gosha nasheeni akhtyar kar li thi,


★_ Un Baagiyo me mukhtalif giroh Shamil they, Misr ke log Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Aqeedatmand they, Basra ke log Talha bin Abdullah Raziyallahu Anhu ko pasand karte they, aur Koofa ke log Hazrat Zuber bin Awaam ko khalifa banana chahte they, Ek jama'at sire se Arab hukumat hi ke khilaf thi, Matlab ye k unme Aapas me agarche ikhtilafaat they lekin sabhi giroh is per ikatthe they k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Mazool kiya jaye, 


★_ Basra Koofa aur Misr fitno ka markaz tha, Abdullah bin Saba inki Saazisho ka sardaar tha, Usne Sabko Hidayat di thi k , Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko har mumkin Tareeqe se badnam karo, Ruswa karo, Uski Hidayato per sakhti se Amal kiya gaya, Uske is propagande ne teeno jagah Aag bhadka di, 


★_ Ye Khabar jab Madina Munavvara pahunchi to logo ne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko mashwara diya k Soorate haal maloom karne ke liye waha'n kuchh log bheje jaye'n, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Muhammad bin Salma Raziyallahu Anhu ko Koofa, Osama bin Zaid Raziyallahu Anhu ko Basra, Ammar bin Yassir Raziyallahu Anhu ko Misr aur Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ko shaam rawana kiya,

[11/22, 10:36 AM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne tamaam Shehro me ek hukm bheja jisme likha tha :- Mujhe maloom hua hai k logo ko Ohdedaaro se shikayat hai k baaz governor ya doosre Ohdedaaro se Zyadti karte hai'n, Agar waqai esa hai to Mai'n elaan karta hu'n k Hajj ke moqe per sab hukkam makka me jama honge, Jis jis shakhs ko bhi koi shikayat ho wo aa kar mujhse mile , mere ya me Aamilo ke zimme Jo nikalta ho wo wasool kar le'n _,"


★_ Jab logo ko ye paigam mila to wo ro pade aur Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Duae'n dene lage, Logo ko to Aapne ye paigam bheja, Doosri taraf tamaam Ohdedaaro ko ye paigam bheja :- Aap sab iwaane ( Ghar ) khilafat me haazir ho'n _,"


★_ Ye hukm milne per Abdullah bin Aamir, Hazrat Ameer Mu'awiya, Abdullah bin Sa'ad bin Abi Sarah Raziyallahu Anhum waha'n pahunch gaye, Hazrat Amru bin Aas aur Hazrat Saied bin Aas ko bhi Madhware me shareek kiya gaya, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne unse kaha k Tum Mashwara do k in halaat me karna kya chahiye ?


★_ Hazrat Saied bin Aas ne kaha - Wo Sirf chand Aadmi hai'n, Jo boshida tor per galat baate Mash'hoor kar ke seedhe Saade Awaam ko vargala rahe hai'n, Behka rahe hai'n, unka ilaaj ye hai k Aap un logo ko aur jo unka sargana ho unke Sar qalam kara dijiye _,"

[11/22, 10:50 AM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ki taraf mutavajjah hue aur farmaya :- Amru Tumhari kya raay hai ?

Unhone jawab me kaha - Aap un fitna Parwaaz logo ke saath Narmi ka maamla kar rahe hai'n, Aapne unhe bahut dheel de rakhi hai, Aap Hazrat Abu Bakar Siddiq aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhum ke Tareeqe per Amal Kare'n, Sakhti ki jagah Sakhti aur Narmi ki jagah Narmi ko Apnaye'n _,"


★_ Is per Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya :- Aap Hazraat ne jo Madhware diye hai'n Wo maine sune, Asal baat ye hai k har maamle ka ek darwaza hota hai, Usse wo andar dakhil hota hai, Ye Fitna jo ummat ko pesh aane ko hai Usko Narmi aur muwafqat hi se band kiya ja sakta hai, Albatta Sazao'n ki baat aur hai, Sazao'n wala darwaza band nahi kiya ja sakta, 


"_ Mujh per koi shakhs ye ilzaam Aa'id nahi kar sakta k maine logo ke saath aur Apne saath bhi bhalayi karne me kotahi nahi ki hai, Fitne ki chakki to ab ghoom kar rahegi lekin mai'n khud ko is soorat me khush naseeb khayal karunga k mai'n is haalat me is duniya se rukhsat ho jau'n k is chakki ko maine harkat nahi di, Pas Aap in Hazraat ko fitna Parwaazo se roke'n Jo unke huqooq hai'n wo ada karne me susti na Kare'n, Unke liye Allah Ta'ala se magfirat maange,


★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne jo ye paigam tamaam Shehro me bheja tha usse logo ko bahut khushi hui thi aur sabka khayal tha k 35 Hijri ka saal Aman v Amaan aur Sukoon se guzrega, Lekin ye khayal galat Saabit hua, Wo ese k Koofe me sakht fasaad ho gaya, ( iski tafseel Agle part me )

[11/22, 11:15 AM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Koofa ke governor Saied bin Aas they, Ye nihayat layaq soojh boojh wale aur mujahid Nojawan they, Lekin they Qureshi, Koofe ke log shuru me to inse khush rahe, inki tareef karte rahe lekin ek martaba unke moonh se ye Jumla nikal gaya - Koofa Quresh ka Chaman hai _,"


★_ Us majlis me doosre qabilo ke alawa Yamani log bhi they, Unka Sardaar Quresh ka Shadeed mukhalif tha, Qureshiyo se bahut bugz rakhta tha, Ye Jumla sunte hi Saied bin Aas per bigad gaya aur bol utha - Quresh me esi konsi khususiyat hai k Koofa unka hi Chaman ho, Wo to sab musalmano ka hai _," 

Us waqt waha'n Police ka ek Afsar bhi mojood tha, Usne gusse me kaha - Governor Sahab se Tehzeeb me reh kar baat Kare'n_,"


★_ Is per Yamani logo ne us Afsar ko itna maara k wo behosh ho gaya, Unhone itna hi nahi kiya balki isse aage badh kar Hazrat Usman Raziyallahu Anhu, Saied bin Aas aur Quresh ki khoob buraiya'n ki, iske saath hi un logo ne Faisla kiya k Ab Saied bin Aas ko governor nahi rehne denge, Chunache un logo ne mutalba kiya k Unki jagah Abu Moosa Ash'ari ko governor muqarrar kiya jaye, is mitalbe ki vajah ye thi k Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu Qureshi nahi they aur unki Rishtedariya'n Yaman se thi, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Shar door karne ke khayal se unki baat maan li aur Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ko governor muqarrar kar diya, 


★_ Is Faisle ka Asar ulta hua, Ab un logo ke Hausle bad gaye, Unke Saath hi Misr aur Basra ke log bhi khilafat ke khilaf uthne ke liye taiyaar ho gaye, Un logo ne ek Jalsa kuya, Usme Apna ek numainda Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki taraf bhejne ka faisla kiya gaya, Chunache Abdullah bin Tayyami ko Apna numainda bana kar bheja, Ye Shakhs Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se mila, Sakht kalami ki aur Khilafat se dast bardaar hone ka mutalba kiya,

[11/22, 11:31 AM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Us waqt Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu bhi Shaam se waha'n aaye hue they, Unhone Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se darkhwast ki k Aap mere Saath Shaam chale'n Waha'n ke halaat theek hai'n_,"

Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya - Chahe meri gardan uda di jaye Mai'n kisi qeemat per bhi Rasulullah ﷺ ka qurb aur Hamsaygi nahi chhod sakta _,"


★_ Is per Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu bole - Agar Aapko ye baat manzoor nahi to mujhe ijazat dijiye k Mai'n Shaam ka ek Lashkar bhej du'n, Wo Madina ke Pichhle hisse me thehra rahega, Agar un logo ne koi shararat karne ki koshish ki to wo Lashkar Aapki madad karega _,"

Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne ye Tajveez bhi manzoor na farmayi aur Farmaya - is tarah Madina Munavvara ke log pareshani me mubtila honge, Mai'n is baat ko hargiz pasand nahi karta _,"


★_ Ab Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu bole - Tab fir Ey Ameerul Momineen ! Aapke saath gadar wala maamla ho jayega _,"

Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne jawab me irshad farmaya :- Hasbiyallahu wa ni'amal Wakeel _,"

( Allah hi mere liye kaafi hai aur Wohi Behatreen madadgar hai )


★_ Chunache Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne ijazat li aur shaam ki taraf rawana ho gaye, Saazish karne walo ko ab munasib waqt ka intezar tha aur unke liye sabse Behatreen waqt Hajj ke din they, Kyunki zyadatar log Hajj ke liye chale jate they, Madina Munavvara me un dino bahut kam log hote they, Un dino me unke khilaf koi badi rukawat pesh nahi aa sakti thi, Chunache ek Khufiya qaraar ke mutabiq Koofa, Basra aur Misr teeno Shehro se fitna Parwaazo ki jamaate ek hi waqt me madina me rawana hui ,


 ╨─────────────────────❥

★_ Baagiyo Ka Madina Pahunchna _,*


: ★_ Un Teeno Jamato ki Tafseel is tarah hai ... Misr ke logo ki tadaad 600 se 1000 ke darmiyan thi, Ye 4 Toliyo me Taqseem they, Koofe ke log bhi Tadaad me Misr ke barabar they aur ye bhi 4 Toliyo me Taqseem they, Basra ke baagi giroh ki tadaad bhi qareeb qareeb itni hi thi, Ye bhi 4 Toliyo me Taqseem tha, 


★_ Jab ye Qaafila rawana hua to Raaste me in logo ke Hum Khayal log bhi shamil hote chale gaye, Madina Munavvara se Teen Kilometre ke faasle per pahunch kar ye log 3 Hisso me bat gaye, Yaha'n pahunch kar in logo ne mashwara kiya k Aage badne se pehle behtar hai k is silsile me Madina ke logo ke khayalaat aur Ahsasaat maloom kar liye jaye'n, Chunache is maqsad ke liye inhone Apne Do numainde Ziyaad bin Nazar aur Abdullah bin Asam Madina Munavvara pahunche, 


★_ In dono ne Azwaaj Mutaharaat, Hazrat Talha , Hazrat Zuber aur Hazrat Ali Raziyallahu Anhum se mulaqaat ki, Apne aane ka maqsad bayan kiya, inhone kaha - Hum chahte hai'n Hazrat Usman Raziyallahu Anhu khilafat chhod de'n kyunki unke baaz maamlo ne Andher macha rakha hai_,"

Is per in sab Hazraat ne inki shadeed mukhalfat ki aur ye bhi kaha K Hum tum logo ko Madina Munavvara me dakhil nahi hone denge _,"


★_ Ye jawab Sun kar dono waapas lot gaye aur Apne Baagi Saathiyo ko Soorate haal Bata di, Ab in logo ne in Hazraat se Alag Alag mulaqaat karne ka program banaya, Chunache Misr ke logo ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se mulaqaat ki aur unse kaha k Hum Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Mazool kar ke Aapko unki jagah Khalifa banana Chahte hai'n _,"

Hazrat Ali Raziyallahu Anhu un per khoob bigde, Unhe bura bhala kaha aur Farmaya - Chale jao yaha'n se _,"

[11/27, 10:13 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ isi tarah Basra ke log Hazrat Talha Raziyallahu Anhu se aur Koofa ke log Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu se mile, Unhone bhi Unhe khoob bura bhala kaha aur Farmaya - Nabi Kareem ﷺ ke Sahaba ko maloom hai k Aan Hazrat ﷺ ne in Raaston se aane wale lashkaro per laanat bheji hai, yani Tum logo ke bare me Aan Hazrat ﷺ ne pehle hi hume khabar daar kar diya tha lihaza foran waapas chale jao _,"


★_ Har taraf se laanat malamat Sun kar in logo ne waapas lot jane me hi khayr jaani, Ye us jagah lot gaye jaha'n unke Teeno Lashkar padaav daale hue they, Yaha'n aa kar unhone fir mashwara kiya aur Tay kiya k is muqaam se kuchh door hat kar ruk jate hai'n aur Ahle Madina ke Hajj ke liye Rukhsat ho jane ka intezar karte hai'n, Jab sab log Hajj ke liye chale jayenge tab Hamla Aawar honge ,


★_ Idhar Baagiyo ke chale jane ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke paas aaye aur unhe mashwara diya :- Aapke khilaf logo me Jo baate ho rahi hai'n behtar hoga Aap logo ke saamne ek taqreer Kare'n, Apne Khilaf lagaye jane wale ilzamaat ki wazahat Kare'n, Varna mujhe dar hai Jin logo ko humne waapas bhej diya hai wo fir waapas na aa jaye'n _,"


★_ Ye Mashwara sun kar Hazrat Usman Raziyallahu Anhu bahar Tashreef laye, Logo ke saamne Khutba diya, Us Khutbe me Aapne Vaada farmaya k Aa'inda kisi ko shikayat ka moqa nahi denge , Aapne farmaya - Mera darwaza har shakhs ke liye har waqt khula hai, Jis shakhs ko bhi koi shikayat ho wo bila takleef mere paas aa jaye aur Apni shikayat bayan kare, Yahi nahi jab Mai'n Mimbar se utru to Aap logo me Jo buland martaba Hazraat hai'n wo mere paas aaye'n, is masle me mujhe mashwara de'n _,"

[11/28, 8:47 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Aapne Ye khutba is qadar dard bhare andaz me diya k log Ro pade baaz logo ki to hichki bandh gayi Lekin jo log Fasaad barpa karne per Tule hue they un per bhala kya Asar hota, Chunache Abhi is khush gawaar Khutbe ke Asraat logo ke zehno per baqi they k ek din Achanak Madina Munavvara ghodo ki Taapo se goonj utha, Ek Shor goonja - Baagi Madina Munavvara me ghus aaye _,"


★_ Baagiyo ne Shehar me dakhil hote hi Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke ghar ko ghair liya, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu, Hazrat Talha Raziyallahu Anhu aur Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu ko ye ittela mili to ye Teeno Hazraat Madina Munavvara ke aur bahut se logo ke saath un Baagiyo se mile, Unhone Koofa, Basra aur Misr ke logo se bari bari mulaqaat ki lekin Un logo per koi asar na hua, Ab ye log Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke ghar ka ghaira daal kar wahi'n pade rahe, 


★_Shuru Shuru me ye ghaira Naram tha, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Masjid Nabvi me aa jate they aur Namaz ki imaamat karate they, Khud ye Fasaadi log bhi Aapke pichhe namaz ada karte they, Ek Din in Fasadiyo ne Hazrat Ali aur Hazrat Muhammad bin Muslima Raziyallahu Anhum se kaha k Hum Aapki mojoodgi me Khalifa se baat karna chahte hai'n _," 


★_ Dono Hazraat ne Zuhar ke baad ka waqt Tay kar liya aur Theek waqt per unke saath Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke paas pahunch gaye aur Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se Khilafat se dast bardaar hone ka mutalba kiya, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne jawab me irshad farmaya - Mai'n wo Qameez nahi utarunga jo Allah Ta'ala ne mujhe pehnayi hai _," 

Ye kehne se Aapka matlab ye tha k Mai'n ye khilafat nahi chhodunga Jo Allah Ta'ala ki taraf se ata hui hai ,

[11/29, 9:22 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Misr ke logo ne kaha - Hum yaha'n se us waqt tak nahi jayenge jab tak hum Aapko khilafat se alag na kar de'n ya Qatl na kar de'n, Agar Aapke Saathiyo ne hamare Raaste me aane ki koshish ki to hum unse jung karenge, Yaha'n tak k hum Aap tak pahunch jayenge _,"


★_ Unki baat ke jawab me Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya - Mujhe Qatl ho jana manzoor hai, Khilafat ke Raaste se dast bardaar hona manzoor nahi , Tumhara ye kehna k tum mere Saathiyo se jung karoge to sun lo, Mai'n unhe Jung karne hi nahi dunga _," 


★_ Is per ye baat cheet khatm ho gayi aur Wo log unke paas se lot gaye, Unke Jane ke Baad Ameerul Momineen Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko bulaya, Unse farmaya - Aap misriyo ko meri taraf se mutma'in Kare'n k unki jaa'iz shikayat aur mutalbaat per gor kiya jayega _,"

Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne jawab me arz kiya - Ab iska koi fayda nahi.. ye log mutma'in nahi honge _,"


★_ Is dauran ek aur Sakht na khush gawaar Waqi'a pesh aa gaya, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Jume ki namaz ke liye masjid Nabvi me Tashreef laye, Yaha'n Misri Wafad mojood tha, Namaz mamool ke mutabiq Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne padhayi, Namaz se faragat ke baad Aap Mimbar per Tashreef farma hue aur Misri Wafad se mukhatib hue ,


★_ Ey Dushmano ! Allah Ta'ala ke Qahar aur gazab se daro, Ahle Madina khoob jaante hai'n k Rasulullah ﷺ ne tum logo per laanat ki hai ( Yani Aap ﷺ  pehle hi tum logo ke bare me pesh goi farma chuke Hai'n aur tum per laanat bhej chuke Hai'n ) pas tumne jo khataye'n ki hai'n, Unki talafi Nek A'maal se karo, Kyunki Allah Ta'ala ki sunnat ye hai k Nekiyo'n ke zariye gunaho ko mitata hai _,"


 ╨─────────────────────❥

*★_ Baagiyo Ka Hamla _,*


: ★_ Aapne abhi ye Alfaz farmaye hi they k Hazrat Muhammad bin Muslima Radiyallahu Anhu bol uthe :- Aapne bilkul sach kaha, Mai'n iska gawah hu'n_,"


★_ Jo'nhi Hazrat Muslima Radiyallahu Anhu ne ye farmaya, Misri wafad un per hamla karne ke liye bada, is per Madina Munawwara ke log bhi uth khade hue, Dono giroh me jhadap ho gayi, Misri Kankar Patthar utha kar un per fai'nkne lage, Yaha'n tak k is ladayi me Hazrat Usman Radiyallahu Anhu bhi zakhmi ho gaye balki behosh ho gaye, Behoshi ki haalat me Aapko ghar pahunchaya gaya,


★_ Sahaba Kiraam me se us waqt Hazrat Zaid bin Saabit, Sa'ad bin Maalik, Abu Huraira aur Hasan bin Ali Raziyallahu Anhum mojood they, Unhone Misriyo ko saza dene ka iraada kiya, Misri us waqt masjid se nikal chuke they, Ese me Hazrar Usman Radiyallahu Anhu ko hosh aa gaya, Unhe bataya gaya k Sahaba Kiraam un logo per Hamla karne ka program bana rahe hai'n to foran kehla bheja - Misriyo ka ta'aqub na kiya jaye _,"


★_ Is waqie se is baat ka saboot milta hai k Misri log Fitna aur Fasaad barpa karne ki qasam kha chuke they, Hazrat Usman Radiyallahu Anhu ne Apne governoro aur Fauj ke salaaro ko in halaat ki ittela di aur unhe hidayat di k wo Yaha'n aa jaye'n ,

[11/30, 7:14 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Yaha'n ye baat bhi jaan leni chahiye k Hazrat Usman Radiyallahu Anhu ne jo Apne governoro aur Salaaro ko paigamaat bheje uska maqsad ye nahi tha k wo Aaye'n aur Fasaad barpa karne walo se Jung kare'n, Ji nahi ! Hazrar Usman Raziyallahu Anhu ko to hargiz hargiz kisi musalman ka khoon bahana gawara nahi tha, Is Aqdaam se Aapka maqsad sirf itna tha k Baagi Apni jaane bachane ke khayal se bhaag jaye'n,


★_ Aapki taraf se paigam milne ke baad Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu baaz mamlaat ki vajah se foran rawana na ho sake, Albatta Shaam se Habeeb bin Muslima, Basra se Mujasha bin Masoud logo ki badi tadaad ke saath rawana hue, Ye Hazraat Abhi Madina Munawwara se Teen meel door they k inhe Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki shahadat ki khabar mili ( ibne Kaseer )


★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke ghar ka muhasra taqriban Ek maah tak jari raha, is dauran Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Masjid me aate rahe, Namaz padhate rahe, Uske baad Bagiyo ne Aapko Masjid me aane se rok diya, Ab unka ek saathi Ameer Gaafqi namaz padhane laga, 


★_ Baagiyo ne ye jo sakhti Akhtar ki uski vajah ye bayan ki jati hai k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne jo Apne governoro aur Ameero ko paigamaat bheje unhe iska pata chal gaya tha, is Sakhti ki doosri vajah ye thi k Hajj ke Din khatm hone ke qareeb they, Unhone socha Haajiyo ke aane se pehle Pehle unhe Apne mansoobe ko poora kar daalna chahiye, Varna fir Apne mansoobe per Amal nahi kar sakenge,

[11/30, 7:37 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Ab Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Apne ghar me qaid ho kar reh gaye, is haalat me Baagiyo ne ghar me ghusne ki koshish ki, Lekin Aapke ghar per 600 ke qareeb jaa'nisaar pehra de rahe they, Unme Bade bade Sahaba ke alawa Hazrat Hasan, Hazrat Husain, Abdullah bin Zuber aur Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhum Shamil they, in Hazraat ne Baagiyo ko andar aane na diya,


★_ In halaat ki vajah se Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Hajj ke liye bhi nahi ja sake they, Aap isse pehle har saal jate rahe they, Waha'n Aap Apne governoro se mulaqaat karte they, Har ek se unke ilaaqe ke halaat maloom karte they, Awaam se unke Sukh dukh maloom karte they, is tarah halaat se logo ke masa'il se ba khabar rehne ki poori koshish karte they, Ab chunki is martaba Aap nahi ja sake isliye Aapne Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se farmaya tha - is martaba Aap meri taraf se Hajj ko chale jaye'n_,"


★_ Hazrat Abdullah bin Abbaas ne arz kiya - Ey Ameerul Momineen ! Un Baagiyo se Jihaad karna mere nazdeek Hajj karne se zyada pasandida hai _,"

Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne israar kiya aur unhe jane per majboor kiya tab Hajj ke liye gaye, Jab Baagiyo ne Aapko ghar me qaid kar diya to ek Din Aap apni chhat per aaye aur Baagiyo se yu'n khitaab kiya :-


★"_ Tum logo ko qasam de kar puchhta hu'n, Sach kaho, Maine Rasulullah ﷺ ke irshad per Ba'ir Ruma khareed kar uska pani tamaam musalmano ke liye waqf nahi kar diya tha _," is per sabne kaha - haa'n ! Ye theek hai, Aapne fit irshad farmaya - Masjide Nabvi ki jagah Tang ho gayi thi, Usme Namazi nahi aa sakte they to kya maine uske saath wali zameen khareed kar masjid me shamil nahi ki thi ? Sabne jawab diya - Haa'n ! Yahi baat hai , 

Aapne farmaya - Gazwa Tabook ke moqe per Jab Allah ke Rasool ﷺ ne imdaad ki apeal ki thi to kya maine lashkar ke liye samaan nahi diya tha aur kya is per Rasulullah ﷺ ne khush ho kar mujhe jannat ki Basharat nahi di thi ?

Sabne kaha - Haa'n ! Esa hi hai ,Ab Aapne farmaya - aur fir Allah ke Rasool ne teen baar farmaya tha - Ey Allah tu gawah reh ..,"

 ★_ iske alawa Aapne farmaya - Kya tum logo ko maloom nahi k ek martaba Hira pahaad per Rasulullah ﷺ, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu aur Mai'n, Hum teeno Khade they, Ese me Pahaad larazne laga tha to Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya tha - Ey Hira thehar ja , is waqt teri pusht per ek Nabi Ek Siddiq aur ek Shaheed hai , Bata'o.. Bata'o .. Nabi Kareem ﷺ ne ye farmaya tha ya nahi ?

Un sabne ek Awaaz ho kar kaha - Beshak ,


★_ Is Taqreer se Hazrat Usman Raziyallahu Anhu unke Zameer ko jagana chahte they, Unhe Ye Sochne per Amaada karna chahte they k wo kese Shakhs ke khilaf uth Khade hue hai'n, Lekin unke Zameer to mar chuke they, Har Sawal ka jawab Unhone Haa'n me diya lekin Apne mutalbe per fir bhi date rahe , Unka kehna yahi tha ;- Ya to Aap Khilafat chhod de'n, Varna hum Aapko qatl kar denge _,"


★_ Aapne Baagiyo se ye bhi farmaya - Tum mujhe qatl karna chahte ho, Tumhare paas iska kya jawaz hai, Maine to islam se pehle bhi kabhi Sharab nahi pi, Zina nahi kiya, Kisi ko qatl nahi kiya, Yaad rakho ! Agar Tumne mujhe qatl kar diya to fir iske baad kabhi tum me baham muhabbad nahi rahegi, Tum hamesha Aspas me ladte hi rahoge , Tumhari ijtimaiyat khatm ho jayegi _,"       


★_ Un per Aapki baat ka koi asar na hua, Us waqt Halaat bahut nazuk ho chuke they, Vajah ye thi k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Baagiyo se farma chuke they k wo kisi soorat kisi shakhs ko bhi ye ijazat nahi denge k unki taraf se jung Kare'n, Waha'n us waqt jitne bhi Jaanisaar mojood they, Un sab hi ne baar baar ye darkhwast ki thi k hume Baagiyo se jung karne ki ijazat di jaye, lekin Aapne unhe ijazat nahi di,


 ╨─────────────────────❥

: *"_ Shahadat Ki Tayyari _,*


★_ Ab Unhone muhasra is qadar Tang kar diya k koi makaan ke andar nahi ja sakta tha aur na makaan se bahar aa sakta tha, Yaha'n tak k Makaan me Pani ka dakhila bhi band kar diya, Ummul Momineen Hazrat Umme Habiba Raziyallahu Anha ko is baat ka ilm hua to Aap Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki madad ke liye aayi'n, Lekin Baagiyo ne unhe bhi andar jane se rok diya aur Unke Saath bhi sakht gustakhi se pesh aaye, Yaha'n tak k Aapki Sawari ke khachchar ko bhi zakhmi kar diya, Chand Aadmi jo waha'n mojood they Unhone Aapko waha'n se nikala _,


★_ Madina Munavvara me is waqt Khof ka Aalam tha, Bahut se kamzor aur Budhe Ashaab to Gosha Nasheen ho gaye, Kuchh Madina Chhod kar idhar udhar chale gaye, Aakhri martaba Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko bulaya to Baagiyo ne unka bhi Raasta rok liya, Aapne Qaasid ko Apna Amama utaar kar diya aur Farmaya - Jo Haalat Tum dekh rahe ho ja kar bayan kar dena _,,


★_ Ese me khabar Pahunchi k Iraq se Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki madad ke liye jo log rawana hue they wo Madina Munavvara ke qareeb pahunch gaye hai'n aur Shaam se rawana hone wale bhi Madina Munavvara ke nazdeek Waadi Alqura ke nazdeek pahunch gaye hai'n, Un lashkaro ke aane ki khabar Pahunchi to Josh aur bechaini me izafa ho gaya aur Hazrat Zaid bin Saabit Raziyallahu Anhu makaan ke paas aaye aur pukare - Ansar darwaze per mojood hai'n aur arz karte hai'n k hum madad ke liye mojood hai'n, Hukm farmaye'n _,"

Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne iske jawab me farmaya - Agar maqsad jung karna hai to Mai'n ijazat nahi dunga _,"

Ek Rivayat ke mutabiq Aapne farmaya - Mera sabse madadgaar wo hoga Jo Apna haath aur Hathiyar roke rahe _,"


★_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne bhi arz kiya - Ameerul Momineen ! Jung ki ijazat dijiye _,"

Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya - Abu Huraira ! Kya tum is baat ko pasand karoge k tum mujhe aur sab logo ko qatl karo ? Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne jawab diya - Nahi , 

is per Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya - Agar tum ek Aadmi ko bhi qatl karoge to goya sab hi ko qatl kar diya_,"

Unke baad Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu haazir hue aur zor daal kar kaha - Aap Baagiyo se jung Kijiye Allah ki qasam Allah Ta'ala ne Aapke liye un logo se jung karna Halaal kar diya hai _,"

Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne unhe bhi wohi jawab diya aur jung ki ijazat na di , *( Tabqaat ibne Sa'ad -3/48 )*

: ★_ Isi tarah Hazrat Mugira bin Shoba bhi aaye, unhone kaha - Ey Ameerul Momineen ! Aap imaam hai'n khalifa e Barhaq hai'n, Is waqt jo halaat hai'n Unme Teen Soorte hai'n Aap inme se koi ek akhtyar kar le'n, Ek ye K Aapke paas kaafi Taaqat hai, Uske Saath Dushmano ka muqabla kijiye, Aap Haq per hai'n aur Wo baatil per, Doosri Soorat ye hai k Aapke makaan ke darwaze per is waqt Baagiyo ka hujoom hai Hum pichhli taraf ek darwaza nikaal dete hai'n, Aap usse nikal kar sawari per Beth jaye'n aur Makka Mukarram chaliye, Waha'n haram me ye log jung nahi kar sakenge, Teesri Soorat ye hai k is darwaze se nikal kar shaam chale jaye'n, Waha'n Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu hai'n aur Shaam ke log wafadaar hai'n,


★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne ye teeno Tajveeze Manjoor na farmayi, Jawab me farmaya - Mai'n Muqabla nahi karunga kyunki Mai'n Rasulullah ﷺ ka wo Khalifa nahi banna chahta Jiske Haatho ummat me khoon Rezi ka Agaaz ho, Doosre ye k Mai'n Makka bhi nahi jaunga Kyunki ye Fasaadi waha'n bhi khoon Rezi karne se baaz nahi aayenge aur Rasulullah ﷺ ki pesh goi hai k Quresh ka ek shakhs Makka ki hurmat uthayega, Mai'n wo Shakhs nahi banna chahta, Raha Shaam jana waha'n ke log zaroor Wafadaar hai'n aur Mu'awiya bhi waha'n hai'n lekin Rasulullah ﷺ ka pados aur Darul Hijrat se Judayi aur doori mujhe kisi soorat me manzoor nahi _,"


★_ Udhar Jitna waqt guzarta ja raha tha Hasrat Usman Raziyallahu Anhu ko Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki pesh goiyo ki roshni me Apni shahadat ka Yaqeen ho chala tha aur Aapne Apni Shahadat ki Tayyari shuru kar di thi, Chunache jis din ye Saanha ( Haadsa) pesh aaya Us Roz Aapne Roza rakha, Wo Din Jume ka tha, Aap per is haalat me neend ki kaifiyat taari ho gayi, Us kaifiyat se hoshiyar hue to farmaya - Maine Neem khwabi ke Aalam me Rasulullah ﷺ aur Hazrat Abu Bakar v Umar Raziyallahu Anhum ko dekha, Aap farma rahe they - Usman Aaj ka Roza tum hamare Saath Aftaar karna _,"


★_ Us Roz Aap Roze se to they hi, Aapne 20 gulam bhi Azaad farmaye, Aapke paas ek Pajama tha us Pajame ko Aapne Kabhi pehna nahi tha, Us Roz Aapne wo Pajama pehna _,


★_ Aap apne Jaanisaaro ko Hathiyar Uthane se mana kar chuke they lekin Baagiyo ne jab Madina ke nazdeek Lashkaro ki aamad ki khabar suni to wo gusse ke Aape se bahar ho gaye, Aapke makaan ke darwaze ki taraf bade aur usko Aag Laga di, Andar Jo Hazraat mojood they bahar nikal aaye, Unki Fasadiyo se jhadap hui, is jhadap me Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu aur Marwaan bin Hakam zakhmi hue, Kuchh log Shaheed bhi hue _, *( Tareekh Tibri - 4/352 )*

: *"_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Shahadat_,*


★_ Aapke Makaan Ke pados me Hazrat Amru bin Hazm Raziyallahu Anhu ka makaan tha, Us Makaan Ki ek khidki Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke makaan me khulti thi, Darwaze per jab ye jhadap hui to Fasadiyo me se kuchh us khidki ke zariye andar aa gaye,


★_ Aur Wo waqt Asr ke baad ka tha, Aapki Zoja Muhatrama Hazrat Naa'ila Aapke paas bethi thi, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Saamne Qur'an khula hua tha aur Aap uski tilawat kar rahe they, Isi haalat me ek Fasaadi ne Aage bad kar Aapki Daadi mubarak ko pakad liya aur Sakht bad kalami se pesh aaya, Uske haath me khanjar tha, Wo khanjar usne Aapki peshani per maara, Peshani se khoon ka favvara beh nikla, Khoon se Aapki Daadi mubarak tar ho gayi, Us waqt Aapki zuban mubarak se nikla -"_ ... Bismillahi Tawakkaltu Alallaahi ..," ( Tarjuma - Allah ke Naam se Allah hi per bharosa hai ),


★_ Saath hi Aap baa'nyi Karwat gir gaye, Qur'an Majeed Aapke Saamne Khula hua tha, Aap us waqt Surah Baqrah ki tilawat kar rahe they, Peshani se nikal kar khoon Daadi tak aaya aur Daadi se Qur'an Kareem per behne laga, Yaha'n tak k is Aayat per pahunch kar ruk gaya, 

( Tarjuma- pas An qareeb Allah Ta'ala un logo se Aapko be niyaaz kar dega aur wohi Sunne wala aur Jaanne wala hai ) *( Surah Al Baqrah - 137)*


★_Ab sab mil kar Aap per toot pade, Kanata bin Bashar bin Itaab ne lohe ki Salaakh maari, Sodaan bin Hamraan ne talwaar ka waar kiya aur Amru bin Humaq ne Seene per Beth kar Neze se musalsal ka'i waar kiye ,.. iske saath hi Aapki Rooh Jism Mubarak se Juda ho gayi , "_inna lillahi wa inna ilaihi Raaji'oun _,"


[ *"_ Shahadat Ke baad _,*


★_ Shahadat Ke waqt Aapki Umar 82 Saal thi, Aap 12 baras tak khalifa rahe, Sahaba Kiraam Un Baagiyo ki vajah se Apne gharo me band they, Unhe Fori tor per is Saanha ka pata bhi na chal saka, Dar Asal unhe ye ummeed nahi thi k nobat Yaha'n tak pahunch jayegi, Jo'nhi Sahaba ko ye holnaak khabar mili wo rone lage, Beqaraar ho gaye, 


★_Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko khabar mili to unhone Asmaan ki taraf haath utha kar Farmaya - Ey Allah ! Tu gawah reh, Mai'n Usman ke khoon se bari hu'n _,"

Aapne ye bhi farmaya - Hazrat Usman ki shahadat se meri kamar toot gayi _,"

Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha us waqt Hajj ke liye gayi hui thi, Wo Hajj ke baad waapas aa rahi thi k is Saanha ki ittela mili, Unhone farmaya - Allah ki qasam ! Usman Mazloom qatl kiye gaye hai'n, Mai'n unke Qaatilo se badle ka muqabla karungi _,"


★_ Hazrat Huzefa bin Yamaan Raziyallahu Anhu ne ye khabar sun kar Farmaya - Ab islam me itna bada Ashgaaf paida ho gaya k Pahaad bhi use band nahi kar sakta _,"

Sumama bin Adi Raziyallahu Anhu ko maloom hua to Aapne farmaya - Ummate Muhammadiya ke khilafate Nabuwat ka khaatma ho gaya, Ab Malukiyat aur Zabardasti ki hukumat ka Daur daura hoga, Jo Shakhs jis cheez per gaalib aayega, Use hadap kar lega _,"


★_ Hazrat Abu Hameed Sa'adi Raziyallahu Anhu Badri Sahabi hai'n, Aapne ye khabar sun kar Farmaya - Mai'n ab kabhi nahi hasunga aur Tamaam Umar fala fala kaam nahi karunga _,"

Hazrat Abu Huraira aur Hazrat Zaid bin Saabit Raziyallahu Anhum ko logo ne betahasha rote dekha, Abdullah bin Salam Raziyallahu Anhu ne ye khabar sun kar Farmaya - Aaj Arab Tabaah ho gaya _,"

Hazrat Zaid bin Somaan Raziyallahu Anhu ne farmaya - Ab musalmano ke Dil Qayamat tak ek doosre se nahi mil sakte _,"

: ★_ Umme Saleem Raziyallahu Anha ek sahabiya hai'n, Unhone farmaya- Ab musalmano me khoon kharabe ke siva kuchh nahi hoga,

Hazrat Saied bin Zaid Raziyallahu Anhu ne farmaya - Tumne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke saath kya kiya hai, Haq ye hai k is per Uhad pahaad ko gir Jana chahiye _,"

Abu Muslim kholani Raziyallahu Anhu ne ye alfaz farmaye - Qatileen Usman ka Anjaam wohi hoga Jo Qaume Samood ka hua tha Kyunki khalifa ka qatl ek ou'ntni ke qatl se kahi'n zyada bada gunaah hai _,"


★_ Hazrat Hassan bin Saabit Raziyallahu Anhu aur Doosre Shayar Hazraat ne Apne Ash'aar me gam ka izhaar Kiya, Unme se ek Shayr ka tarjuma ye hai :- Usman Duniya ke Sabse zyada Aman Pasand they, .. to kya Ab unke baad bhi ummat Khayr ki ummeed kar sakti hai _,"


★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ka pehla Nikaah Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki Sahabzaadi Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha se hua, Unse ek ladka paida hua, Uska Naam Abdullah rakha gaya, Ye Kamsini me hi faut hi gaya tha, Uski Nisbat se Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Kunniyat Abu Abdullah thi, 


★_ Hazrat Ruqayya Raziyallahu Anha ki wafaat ke baad Aapka nikaah Huzoor Nabi Kareem ﷺ ki doosri Sahabzaadi Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha se hua, Unka inteqal gazwa badar wale din hua, Chunki Aapke nikaah me Aan Hazrat ﷺ ki do Sahabzaadiya'n aayi'n isliye Aapko Zul Nooren ka laqab mila, Zul Nooren ka matlab Do Noor Wale ,


 ╨─────────────────────❥

 *"_ Fazaile Hazrat Usman Raziyallahu Anhu_,*


★_ Unke baad bhi Aapne nikaah kiye, Unse Aulaad bhi hui, Hazrat Naa'ila bint Al Qura se Aapne Sabse Aakhir me Nikaah kiya, Shahadat ke waqt Yahi Aapke saath mojood thi, Shahadat ke waqt Unki bhi ungaliya'n Talwaar ke waar se kat gayi thi, Ye Bahut Haseen thi'n, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke baad inse nikaah ki khwahish zaahir ki gayi lekin Aapne inkaar kar diya,


★_ Sahaba Raziyallahu Anhum me Aapka kya Muqaam tha ? Is bare me Bukhari ki ek rivayat ye hai k :- 

"_ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n, Hum Nabi Kareem ﷺ ke zamane me logo ke darjaat bayan karte they to Hazrat Abu Bakar, Hazrat Umar aur Hazrat Usman Raziyallahu Anhum ko tarteeb vaar darja diya karte they_,"


★_ Hazrat Allama Zohni ne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke fazail in alfaz me bayan kiye hai'n :-

*"_ Hazrat Usman Zul Nooren they, Unse Farishto ko haya aati thi, Unhone Saari Ummat ko ikhtilafat paida ho jane ke baad ek Qur'an per jama kiya, Unke Ohdedaaro ne Mashriq me khurasan aur Magrib me Aqsa tak sab Fateh kar dala, Wo bilkul sachche aur Khare they, Raato ko jaagne wale aur Din me Roza rakhne wale they, Allah Ta'ala ke Raaste me be dareg kharch karne wale they, Wo Un logo me se they Jinke bare me Allah ke Rasool ﷺ ne jannat ki Basharat di hai _,"


★_ Huzoor Nabi Kareem ﷺ ne ek moqe per Apni Beti Umme Kulsum Raziyallahu Anha se farmaya :-

"_ Beti ! Tera Shohar wo hai Jisse Allah aur Uska Rasool dono muhabbat karte hai'n aur Wo bhi Allah Ta'ala aur uske Rasool se muhabbat karte hai'n, Kya Tumhe Ye pasand nahi k jab Tum jannat me dakhil ho to dekho k waha'n tumhare Shohar ka makaan sab logo ke makaan se ou'ncha hai _," ( Al Bidaya An Nihaya )


★_ Aan Hazrat ﷺ ne Aapke bare me ye bhi irshad farmaya :- Ey Allah ! Usman Teri Raza ka Talabgar hai Tu usse Raazi ho ja _,"


 ╨─────────────────────❥                                                                                                                     

✭﷽✭


         *✭ KHILAFAT E RASHIDA.✭* 

             *✿_ खिलाफते राशिदा _✿*

            ▪•═════••════•▪                  

*┱✿_ "_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Bayt _,"*


★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki shahadat ke baad teen Din tak Khilafat ka mansab khali raha, is dauran logo ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se darkhwast ki k Aap Khilafat ka mansab Qubool Kare'n, Logo ne sakht israar kiya, Lekin Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne ye bhaari bojh uthane se inkaar kar diya, Aakhirkaar Muhajireen aur Ansar ka israar had se badh gaya, Tab Aapne Majboor ho kar ye bojh utha liya, Chunache 21 Zilhijja 35 Hijri ke Din Masjide Nabvi me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke daste mubarak per Bayt hui,


★_ Khalifa banne ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko sabse pehle Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Qaatilo ka pata chalana aur unhe saza dena tha, Lekin us waqt mushkil ye thi k Shahadat ke waqt sirf Unki Zoja Muhatrama Hazrat Naa'ila mojood thi'n aur Wo Qaatilo ko pehchanti nahi thi, 


★_ Yaha'n ye baat samajh leni chahiye k Kitaabo me Qaatilo ke naam likhe hai'n lekin Gawahi ki jo Qanooni haisiyat hai usse wo Mujrim Saabit nahi hote they, Matlab ye k Qaatilo ke khilaaf gawaah koi nahi tha, isliye Hazrat Ali Raziyallahu Anhu unhe Saza dene ke maamle me mazoor they, Unke khilaf koi Kaarwahi na kar sake,


★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ka khayal tha k ye jo itna bada Saanha hua hai Ye Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Governoro aur Doosre Ohdedaaro ki be ahatyati se hua hai, Chunache Khalifa banne ke baad Aapne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke daur ke Aamilo ko Mazool kar diya, Usman bin Haneef ko Basra ka governor muqarrar farmaya, Ammar bin Hassan ko Koofe ki Hukumat supurd ki, Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu ko Yaman ka Ameer muqarrar farmaya aur Suhel bin Haneef ko Shaam Ka governori ka farman de kar rawana kiya,


★_ Suhel Bin Haneef Tabook ke Muqaam tak pahunche they k Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke Fojiyo ne unhe rok liya aur Madina waapas jane per majboor kiya, Ye khabar sun kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko Andaza ho gaya k unki khilafat ladayi jhagdo se khali nahi hai 


★_ Ab Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ko likha :- Muhajireen aur Ansar ne mere Haath per Bayt kar li hai, Un sabne ittefaq kar ke mujhe Khalifa chun liya hai, isliye Aap bhi mujhe Khalifa maan le'n _,"

Iske Jawab me Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne Apne Qaasid Qabsa Absi ke zariye Zubani paigam bheja, Unhone Aa kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se mulaqaat ki aur kaha - Shaam me 60 Hazaar log ese hai'n Jo Hazrat Usman Gani Raziyallahu Anhu ki khoon Alood Kameez ko dekh kar rote hai'n _,"


★_ Ye Sun kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya - Kya wo log mujhse Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke khoon ka badla talab karte hai'n , Ey Allah ! Mai'n Usman ke khoon se bari hu'n, Usman ke Qaatilo se Allah Samjhe _," 

Ye keh kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Qabsa ko waapas rawana kar diya, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke is jawab se unhe andaza ho gaya tha k Wo Bayt nahi karenge ,


★_ Doosri taraf Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Hajj se faarig ho kar Madina Munavvara ke liye rawana hui hi thi'n k Raaste me unke ek Azeez mil gaye, Unse Madina Munavvara ke halaat poochhe to unhone bataya k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Shaheed kar diya gaya hai aur Hazrat Ali Khalifa muqarrar ho gaye hai'n aur Waha'n Fitne ka bazaar garam hai _,"


★_ Aapne ye khabar suni to Makka waapas lot gayi'n , Logo ne waapsi ki vajah poochhi to Farmaya - Usman Mazloom Shaheed kar diye gaye, Ye fitna dabta nazar nahi aa raha, isliye tum log Mazloom Khalifa ka khoon Raayga na jane do, Qaatilo se khoon ka hisaab le kar islam ki izzat bacha'o _,"


★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Shahadat ke baad Madina Munavvara me Fitna Fasaad ke Asaar dekh kar Hazrat Talha aur Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu bhi Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se ijazat le kar Makka aa gaye, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne unse bhi waha'n ke halaat poochhe, Unhone ne bhi wohi halaat bayan kiye , Is tarah Tamaam baato ki tasdeeq ho gayi,


★_ Idhar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Apni poori Koshish ke bavjood Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Qaatilo ka pata lagane me kaamyaab nahi ho rahe they, Yahi Wo halaat they Jinme Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne bhi Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Khoon ke badle ka mutalba kiya, Makka me apne ird gird Mojood logo ke darmiyaan Aapne Elaan karaya - Hum Usman ke khoon ka badla lenge _,"


★_ Us waqt Makka Muazzama ke Haakim Abdullah bin Aamir Hazmi they, Unhone aur Unke Saath Marwaan bin Hakam aur Saied bin Aas vagera ne nihayat purjosh andaz me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ka saath dene ka elaan kiya, Ye Hazraat Banu Umayya  se they, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu bhi Banu Umayya se they, Is tarah Banu Umayya ke log unke gird jama hone lage aur ek Ba Qaa'da tehreek ban gayi, In Hazraat ne Makka se Basra Jane ka program banaya taki waha'n ke logo ko saath milaya ja sake,


★_ Un Hazraat ki in Taiyariyo ki Khabre Hazrat Ali Raziyallahu Anhu tak pahunchi to Aapne bhi Basra ka rukh kiya taki Un Logo se pehle waha'n pahunch kar Baitul Maal ki hifazat Kare'n, aur iraaq ke logo ko Apni Wafadaari ke liye taiyaar kar sake'n , Madina Munavvara ke logo ko jab Aapke is iraade ki khabar hui to Aapki khidmat me Haazir hue, Unme Hazrat Uqba bin Aamir Raziyallahu Anhu bhi mojood they, Ye Bahut buland Paaya Sahabi they, Gazwa Badar me Shareek reh chuke they, Unhone Madina Munavvara ke Saathiyo ki taraf se arz kiya -


"_ Aapka Madina Munavvara chhod kar jana kisi tarah bhi munasib nahi , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke Zamane me Kitni badi badi Junge pesh aayi lekin unhone kabhi Madina Munavvara se bahar Qadam nahi rakha, Ye theek hai k is waqt Hazrat Khaalid , Abu Ubaida, Saad bin Waqaas aur Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhum jese Sahaba Kiraam ne Shaam aur iraan ko Fateh kar dala tha lekin is waqt bhi Jaa'nbaazo ki kami nahi, Lihaza Aap yahi'n rahe'n _,"


★_ Unki is baat ke Jawab me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya :- Iraaq is waqt Musalmano ki bahut badi Nav Aabadi hai, Waha'n ke Baitul Maal bhi Maalo Zar se pur hai'n, isliye mera waha'n mojood rehna zaroori hai _,"


★_ Iske baad Aapne Madina Munavvara me Aam elaan kara diya k log Iraaq ke Safar ke liye taiyaar ho jaye'n , Baaz bade Sahaba ke alawa baqi log Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke saath jane ke liye taiyaar ho gaye, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu unhe liye Madina Munavvara se nikle, Abhi Ziqaar tak Pahunche they k khabar mili k Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha, Hazrat Talha , Hazrat Zuber aur Makka ke doosre logo ke saath Basra Pahunch gayi hai'n, Qabila Banu Saad ke alawa waha'n ke Tamaam logo ne unke Haath per Bayt kar li hai _,"


★_ Ye Sun kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu wahi'n ruk gaye, Aapne Hazrat Hasan aur Hazrat Ammar bin Yassir Raziyallahu Anhum ko Koofa rawana farmaya, taki waha'n ke logo ko Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Himayat per taiyaar Kare'n, Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ne Koofa pahunch kar waha'n ki Masjid me logo ke saamne Taqreer ki aur unhe Hazrat Ali ka Saath dene ke liye kaha ,


★_ Hajar Bin Adi Kundi Koofa ke bade Aadmi they, Bahut Ba Asar they, Unhone Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ki Taai'yd ki aur kaha - Logo ! Ameerul Momineen ne khud Apne Sahabzade ko bhej kar tumhe Dawat di hai, Is Dawat ko Qubool kar lo, aur Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ka saath de kar Fitne ki Aag ko bujha do, Mai'n bhi inke Saath hu'n _,"

Is tarah Hazrat Hasan aur Hajar Bin Adi Kundi ki taqreero se logo me Josh paida ho gaya, Unke gird Taqriban 9 Hazaar Musalman jama ho gaye, Ye unhe le kar rawana hue aur Ziqaar pahunch kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki fauj me Shamil ho gaye,


★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Ab Apni Fauj ko naye sire se tarteeb diya aur Basra ki taraf kooch Farmaya, Us waqt Basra ka haal ye tha k waha'n Teen giroh they, Ek gair Jaanib daar giroh tha, Yani na wo idhar tha na udhar, Doosra giroh Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ka Tarafdaar tha aur Teesra Hazrat Ayesha Siddiqa, Hazrat Zuber aur Hazrat Talha Raziyallahu Anhum vagera ka haami tha,


★_ Khana Jungi ki Tayyariyo ko dekh kar Pehle giroh ne bahut koshish ki k Musalman Aapas me na lade, Tamaam Nek niyat log yahi chahte they, Khud Hazrat Ali Raziyallahu Anhu, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha, Hazrat Talha Raziyallahu Anhu aur Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu bhi yahi chahte they k Jung na ho aur Aapas ke ye ikhtilafat door ho jaye'n_,"


 ╨─────────────────────❥


*"_ Junge Jamal _,"*


★_ Jab Dono Lashkar ek doosre ke nazdeek pahunch gaye to sab Nek logo ne Suleh per zor diya, Aakhir Suleh ki baat cheet shuru hui, Dono taraf ke logo ki ye Ain khwahish thi k Jung na ho, Aapas ke ikhtilafat baat cheet ke zariye Tay ho jaye'n, Suleh ki baat cheet jaari thi aur zabardast ummeed ho chali thi k tamaam mamlaat Tay ho jayenge, Suleh ho jayegi, K raat ho gayi aur Tay paya k Baqi baat cheet subeh ho jayegi , Chunache dono fareeq Apne Apne padaav me chale gaye, Sab Araam aur Chain ki neend so gaye,


★_ Ab hua ye k dono taraf kuchh ese log Shamil they jo chahte they k kisi qeemat per bhi Suleh na ho, Kyunki Suleh ho jane ki soorat me unki khayr nahi thi, aur Zaahir hai ye log Wahi Balwayi they Jinhone Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke ghar ko 40 din tak ghaire rakha tha aur unhi me se kuchh ne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko shaheed kiya tha, Ab zaahir hai Suleh hone ki soorat me wo pakde jate kyunki is tarah Sukoon ke saath Tehqiqaat karne ki mohlat mil jati aur unki nishan dehi ho jati, Fir zaahir hai unhe Qatl ke jurm me qatl kar diya jata, Wo bhala ye kese pasand kar sakte they, 


★_ Abdullah bin Saba ke log bhi dono taraf mojood they, Wo to they hi Saazishi log , Musalmano ko Aapas me ladana hi unka maqsad tha, Ese logo ne Raat ke waqt Achanak Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki fauj per Hamla kar diya, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha aur unke Saathi ye Samjhe k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Fauj ne unhe Dhoka diya hai, Bas is tarah dono Fareeqo me jung Shuru ho gayi, 


★_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Apne ou'nt per Sawaar hui'n taki Fauj ko rok sake , Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne bhi Apni Fauj ko rokne ke liye poora zor lagaya, lekin Jung to chhid gayi thi, Fir Jald na ruk saki, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke Saathiyo ne unhe Ou'nt per Sawaar dekh kar khayal kiya k Aap Jung per Aamada hai'n, Lihaza aur zyada Josh v Kharos se ladne lage, Unki Fauj me Muhammad bin Talha Sawaaro ke Afsar they, Abdullah bin Zuber Paidal Fauj ke Afsar they aur Majmu'i tor per poori fauj ki qayadat Hazrat Talha Raziyallahu Anhu aur Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu kar rahe they,


 ★_ Jung ke Dauran Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Apna Ghoda aage badaya , Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu ko bula kar Farmaya :- Ey Abu Abdullah ! Tumhe Wo Din yaad hai Jab Rasulullah ﷺ ne tumse puchha tha .. Kya tum Ali ko Dost rakhte ho ..? To tumne arz kiya tha , Ey Allah ke Rasool ! Haa'n , Mai'n Ali ko Dost rakhta hu'n, Yaad karo us waqt tumse Huzoor ﷺ ne farmaya tha - Ek Din tum usse Na Haq ladoge _," *( Mustadrak Haakim - 3/ 1366)*


★_ Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu ne foran kaha - Haa'n ! Mujhe yaad aa gaya .., Ye keh kar Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu ladayi se alag ho gaye, Unhone Apne Bete Hazrat Abdullah bin Zuber se farmaya - Ey pyare Bete ! Ali ne mujhe esi baat yaad dila di hai k Jung ka Tamaam Josh khatm ho gaya hai, Beshak hum haq per nahi hai'n, Lihaza tum bhi Jung se baaz aa jao aur mere Saath chalo _,"

_ Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu ne arz kiya - Mai'n to maidane Jung se nahi hatunga _,"


★_ Is per Wo Akele hi Maidane Jung se nikal aaye aur Basra ki taraf chal Khade hue, Hazrat Talha Raziyallahu Anhu ne Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu ko jate dekha to unka iraada bhi badal gaya aur wo bhi Maidane Jung se nikal aaye, Ese me unke paa'nv me ek Teer aa kar laga, Zakhmi haalat hi me ye Waha'n se nikal aaye, Taaham isi zakhm se Aapki Shahadat hui, 


★_ Us Moqe per Maidane Jung me Abdullah bin Saba ke Saathiyo ne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki shan me gustakhi karne ki kai baar koshish ki lekin Aapke Saath jo Jaanisaar they wo unhe moonh tod jawab dete rahe, Wo log Aapko giraftaar karna chahte they, Lekin Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Jaanisaar unke liye rukawat ban gaye aur unki ek na chalne di, Unki Laasho per Laashe gir rahi thi lekin wo Aapki hifazat se ek Qadam pichhe nahi hat rahe they, Unki Bahaduri ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko bhi hairatzada kar diya,


★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu is baat se pareshan they k Unki Jaanisaari ki vajah se Jung Tool pakadti ja rahi hai aur Fariqeen ka zyada nuqsaan ho raha hai, Yahi haalat rahi to na jane nuqsaan Kaha'n tak pahunche, Haalat ye thi k ek girta tha to Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke ou'nt ki nakel doosra pakad leta tha, Hazrat Abdullah bin Zuber ne ou'nt ki nakel pakdi, Wo zakhmi hue to Foran ek aur ne pakad li, Wo bhi zakhmi hue to ek aur ne pakad li, is tarah ek ke baad ek digar 70 Aadmiyon ne Apne Aapko qurban kar diya , ( Tareekh Tibri - 6/318, Mustadrak Haakim - 3/ 366)


★_ Ye haalat dekh kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne socha, Jab tak ou'nt ko bithaya nahi jayega, Us waqt tak khoon rezi nahi rukegi, isliye Aapke ishare per ek shakhs ne pichhe se ja kar ou'nt per vaar kiya, Ou'nt zakhmi ho kar Beth gaya, Ou'nt ke bethte hi Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki fauj himmat haar gayi, Jung ka faisla Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke haq me ho gaya, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne us waqt Elaan farmaya - Bhaagne walo ka ta'qub na kiya jaye, Zakhmiyo per ghode na daudaye jaye'n aur Maale ganimat na loota jaye, Jo Hathiyar daal de unhe Aman hai _,"


★_ is Elaan ke baad Aap Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke paas aaye aur unki Mizaaj Pursi ki, Unhe Chand din Basra me Araam v Aasa'ish se thehraya, Fir Unke Bhai Muhammad bin Abi Bakar ke saath Madina Munavvara bhej diya, Basra ki 40 Mo'azziz Aurte'n unke Saath gayi'n, Ek Manzil tak Apne Sahabzado ko saath bheja, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Rukhsat hote waqt Farmaya - Mere Bachcho ! Hamari Aapas ki Kashmkash sirf galat Fehmi ka Natija thi, Varna mujhme aur Ali me pehle koi jhagda nahi tha _,"

Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne is baat ki Taai'yd ki aur Farmaya - Ye'n Aan Hazrat ﷺ ki Harame Mohatram aur Hamari Maa'n hai'n, Inki Tazeem aur Toqeer zaruri hai _,"


★_ Is tarah Rajjab ki pehli Tareekh 36 Hijri ko Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Madina Munavvara ki taraf rawana hui'n, Chunki Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha is jung me ou'nt per Sawaar thi'n isliye ye jung " Junge Jamal " kehlayi _,


 ╨─────────────────────❥

: *★_ Jung E Siffeen _,*


★_ Basra me Chand Roz qayam karne ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Koofa ki taraf kooch kiya, 12 Rajjab 36 Hijri ko Shehar me dakhil hue, Koofa ke logo ne waha'n Waqai ek mahal me Aapki mehman nawazi ka samaan kar rakha tha, Lekin Aap Aakhir Zaahid they, Usme Theharne se inkaar kar diya aur irshad farmaya :- Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu ne in Aali Shaan Mahallaat ko hikarat ki nazar se dekha hai, Mujhe bhi inki zarurat nahi, Maidaan mere liye kaafi hai _,"


★_ Chunache Maidaan me qayam farmaya, Masjide Aazam me Do Raka'at namaz ada farmayi, Jume ke Roz Khutba diya, Usme logo ko parhezgari ki Hidayat farmayi, 

Is tarah Junge Jamal ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Madina Munavvara Chhod kar Koofa me mustaqil Riha'ish Akhtar farmayi aur Darul hukumat Hijaaz se Iraaq me muntaqil ho gaya, 


★_ Tareekh ki Kitaabo me iski bahut si vujuhaat aayi hai'n, Ek Vajah ye bayan ki gayi hai k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Shahadat se Haram e Nabvi ki bahut toheen hui thi, Shayad Yahi vajah thi k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Siyasi Markaz ko tabdeel kar diya, Doosri Vajah ye bayan ki jati hai k us waqt Koofa me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Haami aur Tarafdaar badi tadaad me jama they, 


★_ Koofa me aane ke baad Aapne mulk ke nazam v nusq ki taraf tavajjo di, Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu ko Basra ka governor muqarrar kiya, isi tarah doosre ilaaqo per Apne Ameer muqarrar farmaye, Jazira Mosul per Astar Bakhi ko muqarrar kiya, Ye ilaqa Shaam ke saath tha, Astar ne aage bad kar Shaam ke kuchh ilaaqo per qabza kar liya , Lekin Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke Haamil Zahaak bin Qais ne uska muqabla kiya aur wo ilaaqe usse waapas le liye, Astar fir Mosul chala gaya, Taham unse Shaami Fojo se chhed chhad jaari rakhi,

: ★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu jaante they k Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu Aapki Khilafat ko Tasleem nahi karenge, Taham Aapne hujjat poori karne ki khatir unhe ek baar fir suleh ki dawat di, Is garz ke liye Aapne Zareer bin Abdullah Raziyallahu Anhu ko Qaasid bana kar bheja, Hazrat Zareer Raziyallahu Anhu Jis waqt Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ki khidmat me pahunche Waha'n us waqt Shaam ke bade bade Ameer jama they, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne pehle Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ka khat padha fir tamaam Haajreen ko padh kar sunaya,


★_ Khat ka Majmoon ye tha - Tum aur Tumhare Zere Asar Jis qadar Musalman hai'n Un sab per Meri Bayt laazim hai Kyunki Muhajireen aur Ansar ne ittefaq se khalifa chuna hai, isliye Jo Bayt se inkaar karega usse Jabran Bayt li jayegi, Pad Tum Muhajireen aur Ansar ki pervi karo yahi Sabse behtar tareeqa hai Varna Jung ke liye taiyar ho jao, Tumne Usman Raziyallahu Anhu ki shahadat ki Aad me Bayt se inkaar kiya hai, Agar Tum Usman Raziyallahu Anhu ke Qatilo se inteqam lene ke liye purjosh ho to meri ita'at Qubool karo, Uske baad Ba Zaabta is muqadme ko pesh karo, Mai'n Allah ki kitaab aur Sunnate Rasulullah ﷺ ke mutabiq faisla karunga _,"


★_ Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne is khat ke jawab me likha - Aap Hazraat Usman Raziyallahu Anhu ke Qatilo ko hamare Hawale kar de'n, Is soorat me Mai'n aur Tamaam Ahle Shaam khushi se Aapki Bayt kar lenge, Fazal v Kamaal ke lihaaz se Aap hi Khilafat ke Haqdaar hai'n_,"


★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne is khat ka jawab doosre Roz dene ka vaada farmaya, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ka khat Abu Muslim laye they, Wo Doosri Subeh Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki khidmat me haazir hue, Waha'n us waqt 10 Hazaar Muslah Aadmi mojood they, Abu Muslim ko dekhte hi Sab ek Awaaz ho kar bole - Hum Usman Ke Qaatil hai'n _,"

Hazrat Abu Muslim ko hairat hui, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne is moqe per Farmaya - Aap isi se Andaza laga le'n k Halaat Kya hai'n _,"

Iske baad Aapne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke naam khat likhwaya, Us Khat me likha tha - Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke qatl me meri koi shirkat nahi thi lihaza Aap Bayt kar le'n, Uske baad hum Qaatilo ke khilaf kaarwahi karenge _,"

[12/21, 12:33 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Suleh Ki Tamaam Koshishe Nakaam hui, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Aakhirkaar Shaam Ke Khilaf Lashkar Kashi ka faisla kiya, Aap taqriban 80 Hazaar ke lashkar ke saath Shaam ki taraf rawana hue, Yaha'n tak k Aap Dariya e Faraat ko aboor kar ke Shaam ki sarhad tak pahunche, 


★_ Us muqam per Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ki taraf se Abul Daour Sulmi muqarrar they, Unhone Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Har Avval daste ko roka, Dono Fojo me muqabla hua, Itne me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ka mazeed lashkar Waha'n pahunch gaya, Abul Daour ne mehsoos kar liya k unke paas itni fauj nahi k muqabla jaari rakh sake, Chunache Raat ki tareeki me Apni Fauj ko liye pichhe hat gaye aur Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu ko ittela di, Ye ittela milne per Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu bhi Apni Fauj le kar rawana hue aur Siffeen ke muqam per pahunch kar dera daal diya aur Jung ki taiyari shuru kar di,


★_ Ab us muqam per bhi wohi kaifiyat taari ho gayi, Dono Fareeq chahte they K Jung na ho, Lihaza Suleh ki koshish shuru hui, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne ek baar fir Suleh ke liye ek wafad Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ki khidmat me bheja, Dono taraf Sahaba Kiraam mojood they, Unme Hafize Qur'an aur Aalim bhi they, Un Sabne Poori koshish ki k Suleh ho jaye, Lekin Yaha'n fir wohi Masla tha, Saba'i giroh kab Suleh pasand karta tha ? Uski poori koshish thi k Jung zaroor ho,


★_ Ye Koshish Teen Maah tak Jaari rahi, In Teen maah me Un Shar Pasando ne 50 martaba Jung chhedne ki koshish ki Lekin Jo Buzurg Sahaba they, Ulma aur Fuzla they wo har baar darmiyan me pad kar Jung ko taalne ki poori koshish karte rahe, Aakhir Kyu koshish na karte ? Dono taraf Musalman they, Unke Andar dono taraf Esa Tabqa mojood tha Jo Suleh ki koshish ko nakaam banane per tula hua tha, Unki Sazishe musalsal jaari thi,

: ★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Aapke Mukhliseen Saathi, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu aur unke Mukhliseen Saathiyo se ye kehte they, Tum Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Jung karna chahte ho , Kya wo Khilafat ke tumse zyada Haqdaar nahi hai'n ? jawab me Hazrat Ameer Mu'awiya ki taraf se kaha jata - Hum Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke khoone Na Haq ke liye maidaan me aaye hai'n, Yani Qatilo ko hamare Hawale kar do to ye Jung abhi tal sakti hai _,"


★_ Garz is tarah Suleh ki koshish na kaam bana di gayi, Rajjab se le kar Muharram 37 Hijri ke Aakhir tak dono lashkar is tarah pade rahe, Fir Ju'nhi Safar ka Mahina shuru hua Jung fir Chhid gayi aur is qadar khoon Rez ladaiya'n hui k Hazaaro Afraad dono taraf ke Shaheed ho gaye, iske bavjood is Kaana Jungi ka koi faisla na ho saka,


★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu in Halaat se bahut Tang aa chuke they, Thak kar Unhone Faislakun Jung ka iraada kar liya, Apni Fauj ke Saamne ek Taqreer ki, is tarah unki Fauj me Josh paida ho gaya, Ab Dono Fojo me zabardast Jung shuru ho gayi, Jung ka silsila Chand Roz tak jaari raha Yaha'n tak k Jume ke Roz bahut zabardast Jung hui , Subeh se Jung shuru hui to Raat tak na Ruk saki doosri Subeh tak jaari rahi, 


★_ Zameen is Jung se kaa'np rahi thi, Shayad isliye k dono taraf se musalman Shaheed ho rahe they, Dushmano ki lagayi Aag me musalman kat kat kar gir rahe they, Aur Shar Pasand is Aag ke lagne per Bagle baja rahe they, Dil hi Dil me khush ho rahe they, Aakhir wo musalmano ko ladane me kamyaab ho gaye, Doosri Subeh Shaheed hone walo ki Laashe aur Zakhmiyo ko uthane ke liye Jung rok di gayi,

: ★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne ek baar fir Apni Fauj ke Saamne purjosh Taqreer ki , Doosri taraf Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu se kaha - Agar Musalman Aapas me esi ladayi ladte rahe to Saara Arab Veeran ho jayega fir Hum Romiyo ke Raham Karam per honge kyunki hamari Taaqat khatm ho chuki hogi_,"

Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke bade bade Saathiyo ne bhi Amru bin Aas ke khayalaat ki taaied ki, is per Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko ek khat likha, Khat ke Alfaz ye they, 


*"_ Agar hume aur Aapko maloom hota k ye Jung is qadar tool pakad jayegi to shayad hum dono ise pasand na karte, Bahar haal Ab hume is tabaah kun Jung ko rok dena chahiye, Hum log Bani Abd Munaaf hai'n, isliye Suleh esi ho k izzat v Aabru barqarar rahe _,"


★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne is khat ke jawab me Suleh karne se inkaar kar diya aur Doosri Subeh Apni Fauj ke saath maidaan me aa gaye, Lekin doosri taraf Jung band kar dene ka faisla kiya ja chuka tha, Us waqt Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne tadbeer ki, Unhone 5 Saathiyo ko Nezo per Qur'an utha kar Aage chalne ka hukm diya, Ye 5 Saathi Nezo per Qur'an uthaye jab Saamne aaye to aur Jitne logo ke paas Qur'an they un sabne bhi Apne Apne Nezo per Qur'an ko utha liya, 


★_ Agle chand Afraad ne elaan karne ke andaz me kaha - Allah Ta'ala hum sabko Romiyo aur iraaniyo ke haatho se bachaye, Agar Jung isi tarah jaari rahi to zaroor hum fana ho jayenge , Ye Allah Ta'ala ki kitaab hai ye hamare aur Tumhare darmiyan faisla karegi, Ye hamare aur Tumhare darmiyan hukm hai ( yani ye faisla karegi )

 ★_ Ab Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki fauj me bhi ye Awaaz buland hui k, "_ Theek hai Qur'an se faisla hona chahiye aur Agar is Faisle ko na maana gaya to Fauj se Alag ho jayenge_,"

Is moqe per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke ek wafadaar Ash'ash bin Qais ne kaha - Ey Ameerul Momineen ! Mai'n jis tarah kal Aapka jaa'nisaar tha, usi tarah Aaj bhi hu'n lekin Meri bhi yahi Raay hai k Qur'ane Hakeem ka hukm maan lena chahiye _," 


★_ Aakhir Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Jung band karne ka faisla kar liya, Is tarah Jung Ruk gayi, Ab dono Fareeqo me baat cheet shuru hui, Ye baat cheet khutoot ke zariye hui, Fir dono taraf ke Aalim Faazil log jama hue, Aakhir tay paya k Khilafat ka masla hal karne ke liye do Hakam muqarrar kar diye jaye, Wo jo faisla kare'n, Us per Amal kiya jaye, Shaamiyo ki taraf se Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ka naam Tajveez kiya gaya, Hazrat Ali ki taraf se Ash'ash bin Qais ne Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ka naam liya, 


★_Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu ka naam Tajveez kiya, is per kuchh logo ne kaha - Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu aur Aap to ek hi hai'n, Hakam to gair Jaanibdaar hona chahiye _,"

Is per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Astar ka naam liya, is per Aitraaz kiya gaya k Jung ki Aag to Astar hi ne bhadkayi hai, Ye to Aakhri waqt tak Jung jaari rakhne ke haq me tha, ise kis tarah Hakam muqarrar kiya ja sakta hai _,"


★_ Is per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya - Theek hai, Tum jise chaho Hakam muqarrar kar do mujhe koi Aitraaz nahi hoga_,"

Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ko bulaya gaya, Wo is Jung se bezaar ho kar Shaam ke ek gaa'nv me chale gaye they, Is tarah dono taraf se Hakam ek Jagah Jama hue aur Ek Mu'ahida Likha gaya, Us Mu'ahide ke Alfaz ye they :- 


"_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu aur in dono ke tarafdaar Aapas me Razamandi se ye Ahad karte hai'n k dono Hakam Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu aur Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu Qur'an v Sunnat ke mutabiq jo Fsisla karenge usko Tasleem karte hai'n, Unhe koi pasho pesh nahi hoga, isliye Dono Fareeq ke liye zaroori hai k kisi haalat me is Faisle se inkaar na kare'n, Haa'n Agar Faisla Qur'an aur Sunnat ke khilaf hoga to usko Tasleem nahi kiya jayega, is soorat me fariqeen ko Akhtyaar hoga k fir Jung shuru kar de'n _,"

: ★_ Ye Mu'ahida 23 Safar ko likha gaya, Ash'ash bin Qais Ko is kaam per mamoor kiya gaya k wo Tamaam Qabilo ke Sardaaro se is per Dastkhat karaye'n, Ash'ash bin Qais ne ye kaam shuru kiya, Wo Sardaaro ke Yaha'n ja Kar Mu'ahida suna suna kar Dastkhat karane lage, 


★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Saathiyo me bahut se logo ne is Mu'ahide ko na pasand kiya aur unhone Dastkhat se inkaar kiya, Yaha'n tak k ye log Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki khidmat me haazir hue aur Aapse farmaya - Hume Ye Mu'ahida manzoor nahi _,"

_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne unki baat nahi suni, Is per wo log naraaz ho gaye aur is saare maamle se alag ho gaye, is tarah unka ek Alag giroh ban gaya, Ye Firqa Khaarji kehlaya, iska Zikr Aage Aayega, 


★_ Dono Hakamo ke ijlaas ke liye muqam Domta Aljundul muqarrar kiya gaya, Ye muqam iraaq aur Shaam ke darmiyan waqe hai, Dono Hakamo ke saath 400 - 400 Aadmi they, Yani 400 Aadmi Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Apne Hakam Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ke Saath Rawana farmaye aur 400 Aadmi Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne Apne Hakam Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ke saath rawana farmaye, Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ke saath jo 400 Aadmi rawana kiye gaye unke Afsar " Shareeh bin Haani " they, 


★_ Kuchh Buzurg Sahaba ese they Jo is Jung se bilkul alag rahe they, Ab Jabki Unhone suna k Dono taraf se Suleh ki koshish ho rahi hai aur is garz ke liye Hakam muqarrar kiye gaye ha'in to wo bhi is moqe per Domta Aljundul pahunch gaye, in Sahaba Kiraam me Hazrat Abdullah ibne Umar, Hazrat Saad bin Abi Waqqas aur Hazrat Mugira bin Shoba Raziyallahu Anhum Hai'n,


★_ Unme se Hazrat Mugira bin Shoba Raziyallahu Anhu is qism ke Mamlaat me bahut Soojh boojh rakhte they, Unhone dono Hakamo se alag alag mulaqaat ki, is tarah unke Khayalaat maloom kar ke Andaza lagaya k is tarah bhi koi khush gawaar natija nikalne ki ummeed nahi hai, Unhone Apna ye khayal Doosre Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko bata bhi diya,


★_ Idhar Dono Hakam ek jagah mil bethe, Unki Aapas me baat cheet shuru hui, Kaafi der ki baat cheet ke baad Aakhir dono ne faisla kiya k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu dono ko ma'zool kar diya jaye aur Musalman naye sire se apna khalifa muntakhab kare'n, Dono ye faisla kar ke musalmano ke darmiyan waapas Aaye, Masjid me sabko jama kiya gaya, 


★_ Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ne Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu se kaha - Aap mimbar per aa kar faisla suna de'n_," 

Is per Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne kaha - Aap Fazal v Kamaal me hamare Buzurg hai'n, Lihaza Aap ke muqable me Mai'n pehal kese kar sakta hu'n, Pehle Aap mimbar per Aaye'n aur Faisla Sunaye'n _,"


★_ Chunache Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu mimbar per Aaye'n aur Logo ko mukhatib kar ke Farmaya :- Sahibo ! Hum Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu dono ko ma'zool karte hai'n, Majlis Shoora fir se khalifa ka intikhab kare_,"


★_ Ab Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ki baari aayi, Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne pehle Allah Ta'ala ki hamdo Sana ki, Fir Farmaya - Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ne jo baat kahi wo tumne sun li hai, Unhone Apne Ameer ko ma'zool kar diya hai aur Maine bhi unhe Ma'zool kar diya, Mai'n Apna Ameer Mu'awiya ko qaa'im rakhta hu'n , Bila Shubha Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Madadgaar aur Unke Khoon ke badle ka matalba karne wale hai'n, Wo Sab logo se zyada unki jagah per khade hone ke Haqdaar hai'n _,"


★_ Dar Asal Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne saaf tor per Mehsoos kar liya tha k Agar is waqt logo ko bager Ameer ke chhod diya gaya to isse bhi zyada taweel ikhtilafaat bad jayenge, bas Aapne isi Maslihat ko dekh kar Hazrat Ameer Mu'awiya ko qaa'im rakha , 


★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne is Faisle ko na pasand Farmaya aur Dobara Fauj ko Taiyaar karne lage they k Khaarjiyo ki Bagawat ke bare me ilm hua, 

Khaarji wo log they Jinhone Hakam muqarrar karne ko pasand nahi kiya tha aur Jab Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu aur Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ko Hakam muqarrar kiya gaya to ye Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Lashkar se alag ho kar Waha'n se chale gaye, Inki tadaad 12 Hazaar ke qareeb batayi jati hai, Inka kehna tha k Deen ke maamlaat me kisi ko bhi Hakam muqarrar nahi kiya ja sakta aur esa karna Kufr hai, 


★_ Ab inhone doosre logo se Poochhna shuru kiya k wo Hakam muqarrar karne ko Kufr maante hai'n ya nahi, Jisne Unki baat se ittefaq kiya use Unhone zinda chhod diya aur Jisne ikhtilaf kiya use qatl karaya, is tarah in logo ne kuchh logo ko qatl kar diya, Jab ye khabare Hazrat Ali Raziyallahu Anhu tak pahunchi to Aapne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke bajaye in logo se Jung karne ka faisla Farmaya,


★_ Chunache Pehle Ek Qaasid Khaarjiyo ki taraf bheja, Un logo ne Aapke is Qaasid ko bhi qatl kar diya, is per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne fori tor per inka Rukh kiya aur Neharvaan ke muqaam per pahunch kar padaav daala, Us jagah Aapne Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu aur Hazrat Qais bin Ubada Raziyallahu Anhu ko Khaarjiyo ke paas bheja taki wo unse baat cheet kar ke unhe Samjhane ki koshish kare'n, 


★_ Khaarjiyo ne unki baat bhi na suni, Ab Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne unki taraf se ek shakhs ko bulaya taki khud baat kare'n, is tarah Jo Shakhs aaya uska naam ibne Alkawa tha, Aapne use Samjhane ki poori koshish ki Lekin Unke Dil Syaah ho chuke they, Samjhane ki har koshish nakaam rahi, Aakhir Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne fauj ko taiyari ka hukm diya,


★_ Khaarjiyo ka Sardaar Abdullah bin Wahab Raasbi tha, Akhir Jung shuru hui, Bahut Khofnaak Jung ladi gayi, Khaarjiyo me se bahut se log Jung se jaan bachane ke liye pehle hi maidaan se nikal gaye they, Is tarah Abdullah bin Wahab Raasbi ke saath sirf 4 hazaar Aadmi reh gaye they, Ye msidane Jung me date rahe Yaha'n tak k ek ek kar ke sabke sab qatl kar diye gaye, Maidaan Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke haath raha,


★_ Is Jung ka naam Junge Neharvaan hai, Jung se faarig hone ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Qatl hone walo me se kisi ki talash me nikle, Aan Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne ek Shakhs ke bare me Aapse Pesh goi farmayi thi, yani un logo ko Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se jung karne ke bare me farmaya tha aur unke darmiyan qatl hone wale ek shakhs ka mukammal huliya bayan farmaya tha, To us waqt Hazrat Ali Raziyallahu Anhu dar Asal us Huliye wale shakhs ko talash kar rahe they, aur Aakhir Aapko wo shakhs laasho ke darmiyan mil gaya, Uska Huliya bilkul wohi tha jo Huzoor Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne bayan farmaya tha, Ye dekh kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu pukaar uthe - Allahu Akbar ! Allah ki qasam ! Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne bilkul durust farmaya tha _,"

 ╨─────────────────────❥


*"_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Shahadat _,*


★_is Jung se faarig hone ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Shaam per Chadayi karne ka iraada farmaya, lekin us moqe per Ash'ash bin Qais ne kaha - Ameerul Momineen ! Hamare Tarkash khaali ho gaye, Talwaro ki dhaare mud gayi, Nezo ke phal kharab ho gaye, isliye Jung se pehle hume Taiyari karne ki mohlat de'n, Aapne unhe mohlat di aur Nakhliya ke muqaam per padaav kiya, 


★_ Aapke Hamraahi Jung se tang aa chuke they Lihaza Raat ki tareeki me khisakne lage Yaha'n tak k Aapke ird gird sirf ek Hazaar Afraad reh gaye, Ye Haalat dekh kar Aapne Shaam per Chadayi ka iraada tark kar diya aur waapas Koofa chale aaye,


★_ Iske baad Aapki Zindgi ke din Bagawato ke khilaf koshisho me basar hote rahe, Doosri taraf Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu Apni Taaqat badhane me Kamyaab hote chale gaye Yaha'n tak k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Shahadat ka Waqia pesh aa gaya, 


★_ Iski Tafseel ye hai k Neharvaan ki Jung ke baad chand Khaarji Hajj ke moqe per jama hue, Unhone us waqt ke halaat per baat cheet shuru ki, Kaafi der ki behas ke baad unhone ye natija nikala k Jab tak tak Teen Aadmi Duniya me mojood hai'n, islami Duniya ko khana Jungiyo se nijaat nahi mil sakegi aur Wo teen Hazrat Ali Raziyallahu Anhu, Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu aur Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu, is per unme se teen Aadmi in teeno Hazraat ko qatl karne per Aamada ho gaye, Abdur Rahman muljim ne kaha ,k Mai'n Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke qatl ka zimma leta hu'n, Nazaal naami shakhs ne kaha - Mai'n Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu ko qatl karunga, teesre Shakhs Abdullah ne Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ko qatl karne ki Zimmedari li aur Teeno Apni Apni muhim per rawana ho gaye,


★_Ramzan 40 Hijri me Teeno ne ek roz Subeh ke waqt in teeno Hazraat per Hamla karne ka program tarteeb diya, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu aur Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ittefaqi tor per bach gaye, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu per Vaar ochha pada, Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu us Roz imaamat ke liye aaye hi nahi, Unki jagah Namaz padhane ke liye koi aur aaya aur unki jagah maara gaya,


★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki zindgi ke din poore ho chuke they, Aap Masjid me Tashreef laye, ibne Muljim pehle hi aa kar Masjid me let gaya, Aapne utha diya, Jab Aap ne namaz shuru ki to usi haalat me us Bad Bakht aur Sangdil Shakhs ne Talwaar ka vaar kiya, Vaar sar per laga, Ibne Muljim ko logo ne bhaagne ki mohlat na di aur giraftar kar liya, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Shadeed Zakhmi hue, Aap ne foran Mehsoos kar liya k is Zakhm se bach nahi sakenge, Chunache Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu aur Hazrat Hausain Raziyallahu Anhu ko bula kar Nasihate farmane lage,


★_ Us waqt Jundub bin Abdullah ne puchha - Ameerul Momineen ! Aapke baad hum Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke haath per Bayt kar le'n? 

Aapne Jawab me irshad farmaya - iske bare me Mai'n Kuchh nahi kehna chahta _," iske baad Aapne Apne Qaatil ke bare me farmaya - Usse mamooli Andaz se badla liya jaye _,"


★_ ibne Muljim ki Talwaar zehar me bujhi hui thi, Zehar ne Apna kaam kiya, Aap us Zakhm se bach na sake aur 20 Ramzan 40 Hijri Juma ki raat ko Apne Allah se ja mile, ilm aur Fazal ka Suraj Guroob ho gaya, inna lillahi wa inna ilaihi rajioun_,"

 ╨─────────────────────❥

 *"_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Faza'il _,*


★_:Hazrat Ali Raziyallahu Anhu jis waqt Khalifa bane us waqt Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Shahadat ki vajah se Madina Munawwara ke alawa bhi poora Aalame islam pareshan tha, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki wafaat koi mamooli Waqia nahi tha, Chunache har taraf haijaan fail gaya tha, Yahi vajah hai k Aapka Saara daur Aapas ke ikhtilafaat ki nazar ho gaya ,


★_ In kun Halaat ke bavjood Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne islahaat ka kaam jaari rakha, Aap Apne Aalimo ki nigrani karte they, Logo ke saath Shafqat se pesh aate they, Baitul Maal ke darwaze gareebo ke liye khule they, Usme jo raqam aati Aap zarurat mand me Taqseem farma dete they, 


★_ Aap khud bahut Tajurba kaar Jung Aazma they, Jungi Mamlaat ko achchi tarah samajhte they, Chunache khalifa banne ke baad Aapne Fauji Chhavniya'n Kasrat se qaa'im ki, Iraan Ki taraf Shorsh aur bagawat ki vajah se Aapne istakhar me Qila Hasan Zyad banwaya taki khatre ke waqt Aurto'n aur Bachcho ki hifazat ho sake, Jungi Tamiraat ke Silsile me Dariya Faraat per pul banwaya, Yaman me islam ki Roshni Aap hi ki koshish se faili thi, Surah Baraat Naazil hui to uski tablig aur isha'at ki khidmat Aap hi ke zimme hui, 


★_ Aapke Khalifa banne ke baad Iraan aur Aarminiya ke naye naye musalman murtad ho gaye to Aapne unki Sarkobi farmayi, Chunache unme se Aksar ne tauba ki aur Musalman ho gaye, isi tarah Khaarjiyo ka Qila fateh kiya,

 ★_ Saba'i giroh me se kuchh Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko khuda kehne lage they, Aapne unhe ibratnaak Sazae'n di, Unke Gharo ko dhaha diya, 


★_ Aapko Bachpan hi se Aan Hazrat ﷺ ki sohbat Naseeb Ho gayi thi, Lihaza Aapko Aan Hazrat ﷺ se Taleem v Tarbiyat ka moqa mila tha aur Ye silsila Aakhir tak jaari raha, Aapko Din Raat me 2 Martaba Aap ﷺ ki khidmat me haazir rehne ka moqa milta tha, Safar me bhi Aksar Saath rehte they, is tarah Aapko Safar se mutalliq Shara'i Ahkamaat se waaqif hone ka moqa milta rehta tha, 


★_ Aap likhna padhna jaante they, Chunache Aap ﷺ ke Tehreeri kaam Aap hi karte they, Kaatibane Wahi me Aapka naam bhi shamil hai, Aapne Poora Qur'an Aap ﷺ ki zindgi hi me hifz kar liya tha, Aap Qur'ane kareem ki ek ek Aayat ke ma'ani aur Shane nuzool se waaqif they, Chunache Aapka Shumar Qur'ane kareem ke mufassiro me hota tha, Sahaba Kiraam me Aapke Alawa Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu bhi Qur'ane kareem ke mufassir they,


★_ Baaz logo ka khayal tha k Aan Hazrat ﷺ ne Qur'ane kareem ke alawa bhi kuchh khaas uloom Aapko bataye hai'n, Chunache Aapke Shagirdo ne Aapse puchha - Kya Qur'an ke alawa kuchh aur uloom bhi Aapke Paas hai ? 

Aapne Jawab me farmaya - Qasam hai us zaat ki Jo Daane ko faad kar darakht ugata hai aur Jo jaan ko jism ke andar paida kar deta hai, Quran ke siva mere paas kuchh nahi, Lekin Quran ke Samajhne ki Taaqat Allah Ta'ala jise chahe ata kare, iske alawa chand Ahadees mere paas hai'n,

[1/2, 9:43 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Aapne Bachpan se le kar Wafate Nabvi ﷺ tak takriban 30 saal Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me basar kiye, Isliye islam ke Ahkaam aur Fara'iz ke Aap bahut bade Aalim they, is tarah Ahadees ki rivayat ka zamana Aapko Sabse zyada mila, Khulfa E Rashideen me Aapki rivayaat ki tadaad Sabse zyada hai, Aap 886 Ahadees ke Raavi hai'n, Fiqha aur ijtihaad me Aapko Kamaal haasil tha, bade bade Sahaba Yaha'n tak k Hazrat Umar Raziyallahu Anhu aur Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhma ko bhi kabhi kabhi Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Masa'il maloom karne ki zarurat pesh aati, Mushkil se Mushkil aur Pechida se Pechida Masa'il Aap nihayat Asaani se hal farma dete they,


★_ Fiqhi Masa'il me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko jo Kamaal haasil tha uski vajah ye thi k Aap jo baat nahi jaante they wo Aan Hazrat ﷺ se poochh liya karte they, Hanfi Fiqha ki buniyad Hazrat Abdullah ibne Mas'oud Raziyallahu Anhu ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke hi faislo per Mubni hai, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmaya karte they- Hum me muqdmaat ke faislo ke liye sabse mozu Ali hai'n aur sabse bade Qari Uba'i bin ka'ab hai'n _,


★_ Hazrar Abdullah bin Mas'oud Raziyallahu Anhu kehte hai'n - hum (Sahaba) kaha karte they k Madina Walo me sabse zyada Sahi Faisla karne wale Ali hai'n _, 

Aapke paas bahut hi Ajeeb noiyat ke muqadmaat aate they, Jinke bare me doosre faisla nahi kar pate they lekin Aap bahut Asani se unka faisla farma dete they, Tareekh ki kutub me ese bahut se muqdmaat darj hai'n, unki padh kar Hairat hoti hai,


★_ Aap bahut buland paya khateeb they, Taqreer aur khitabat me Aapko malka haasil tha, Aapki Taqreer bahut Ba Asar hoti thi, Aap me Kamaal Darje ka Zuhad paya jata tha, Haq ye hai k Aapki Zaat Zuhad ka namoona thi, Ek martaba Shadeed Bhook ki haalat me Subeh se Shaam tak mazdoori ki, is tarah mazdoori me jo khajoore mili wo bhi ek Sawal karne wale ko de di, Ghar me koi khaadim ya Khadima nahi thi, Ghar ka Saara kaam Hazrat Fatima Az Zohra Raziyallahu Anhma karti thi'n,

[1/3, 2:01 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Aap nihayat ibaadat guzaar they, Saadgi aur inksaari bhi Aapne inteha Darje ki thi, Log Masa'il poochhne aate to Aap kabhi ou'nt chara rahe hote, Kabhi Zameen Khod rahe hote, Mizaaj me Saadgi itni thi k Zameen per hi bila takalluf so jate they, Ek martaba Aapko mitti per sota dekh kar Aan Hazrat ﷺ ne Farmaya - Ey Abu Turaab ! Ab uth Beth _,"


★_ Abu Turaab ka matalab hai mitti wale, Lihaza yahi Aapki kunniyat mash'hoor ho gayi aur Abu Turaab kehlana Aapko bahut pasand tha, Koi Aapko is Naam se pukarta to bahut khush hote they, Khilafat ke Dino me bhi ye Saadgi barqarar rahi,


★_ Shuja'at aur Bahaduri to Aapko khaas khoobi thi, isme koi Aapke Hum Pyala nahi tha, Aap Tamaam Gazwaat me shareek rahe aur Sab hi me Shuja'at ke Johar dikhaye,


★_ Aap Dushmano ke saath bhi Husne Sulook se pesh aate they, Iski bahut si misaale Tareekh ki kutub me mojood hai'n, Pehle Teeno Khulfa ke Aap musheer rahe, Teeno Aapse mashwara liya karte they,


★_ Aapke 17 Ladkiya'n aur 14 Ladke paida hue, Unme Se Hazrat Hasan, Hazrat Husain, Muhammad bin Hanfiya Raziyallahu Anhum se silsila e nasl chala, Allah Ta'ala ki Aap per beshumar rehmate Naazil ho'n_,


 ╨─────────────────────❥

★_ Bayt Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu _,*


★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Wafaat se pehle puchha gaya - Kya Aapke baad Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke haath per Bayt ki jaye ? Jawab me Aapne Farmaya - Mai'n Apne haal me mashgool hu'n, Tum jise pasand karo, uske Haath per Bayt kar lena _,"


★_ Aapke is jumle se logo ne khayal kiya k Aapne Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu se Bayt ki ijazat di hai, Chunache Log Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke paas aaye, Sabse pehle Qais bin Saad bin Ubada Raziyallahu Anhu ne Bayt ke liye haath badhaya, Uske baad doosre log Aage aate rahe aur Bayt karte rahe, Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu Bayt lete waqt kehte they - Mere Kehne per Amal karna, Jisse Mai'n Jung karu'n tum bhi usse Jung karna aur Jisse Mai'n Suleh karu'n tum bhi usse Suleh karna _,"


★_ Doosri taraf Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki wafaat ke baad Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne Apne liye Ameerul Momineen ka laqab Akhtyaar kiya aur Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko paigam bheja - Suleh Jung se behtar hai aur behtar yahi hai k Aap mujhe Khalifa Tasleem kar ke mere haath per Bayt kar le'n_,"


★_ Is moqe per Khaarjiyo aur Munafiqo ne ye baat Mash'hoor kar di k Hazrar Hasan Raziyallahu Anhu Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu se Suleh karna chahte hai'n, Agarche Esi Suleh Yaqinan Khayr ka baa'is thi magar Un Zalimo ne goya ise ek Saazish ke tor per Mash'hoor kar diya, Saath hi Unhone Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu per Kufr ka fatwa laga diya,


: ★_ Is Fatwe ne Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke Lashkar me Halchal macha di, Wo 2 hisso me bat gaye aur Aapas me ladne lage, Yaha'n tak k Kuchh log Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke kheme me bhi ghus aaye aur Aapka Libaas pakad kar kheenchne lage, Yaha'n tak k Aapka Libaas taar taar ho gaya, Wo log Aapki chaadar aur Kheme ki har cheez loot kar le gaye,


★_ in halaaat me Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ne Qabila Rabiya aur Hamdaan ko Awaaz di, ye dono Qabile Aapki madad ko aaye aur Shar Pasando ko Aapke paas se hatane me kamyaab ho gaye, is tarah Shor Sharaba khatm ho gaya,


★_ Iske baad Aap Mada'in ki taraf ja rahe they k ek Khaarji Jarah bin Qubes ne Aap per Neze ka vaar kiya, Neza Aapki raan per laga, Aapko utha kar Mada'in me laya gaya, Aapke Zakhmo ka ilaaj kiya gaya aur Aakhir Zakhm theek ho gaya,


★_ In Halaat ka Jaayza lene ke baad Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu se Suleh karne ka faisla kar liya, Aapne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ko paigam bheja - Mai'n Suleh karne aur Aapke Haath per Bayt karne ke liye taiyaar hu'n, Agar Aap meri chand Shara'it maan le'n _,"


 ★_ Suleh ki ye Shara'it Aapne Abdullah bin Aamir ke haath rawana ki, Abdullah bin Aamir Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke paas pahunche aur ye Shara'it bayan ki, Saath hi Apni taraf se ye Shart bhi pesh kar di, k "_ Jab Aap Faut ho jaye'n to Khilafat ke Haqdaar Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ho'nge aur Jab tak Aap zinda hai'n Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko har Saal 5 Laakh dirham Salaana Baitulmaal se bhejte rahenge, Ek Shar ye hai k ilaaqa Ahwaaz aur Faaras ka kharaaj Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko mila karega _,"


★_ Ye Shara'it Sun kar Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne farmaya - Mujhe ye sab Shara'it manzoor hai'n aur Agar Hasan Raziyallahu Anhu kuchh aur Shara'it bhi pesh kare'nge to Mai'n wo bhi manzoor karunga kyunki unki Niyat Nek hai aur wo Musalmano me Suleh ke khwahish mand nazar aate hai'n _,"


★_ Ye keh kar Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne ek Saada Kaagaz per Apni muhar lagayi aur Abdullah bin Aamir ko dete hue farmaya - Ye Kaagaz Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke paas le jao aur unse keh do, Jo Shara'it chahe'n is Kaagaz per likh de'n, Mai'n tamaam Shara'it maanne ke liye taiyaar hu'n_,"


★_ Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu Apne Waalid Muhatram ke zamane se halaat ko dekhte chale aa rahe they, Wo Aapas ki Jungo se bezaar they, Chunache Abdullah bin Aamir Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke Dastkhat aur Muhar wala Kaagaz le kar Aapki khidmat me aaye, Aapne un Shara'it ko padha to naraaz hue aur farmaya - Mujhe ye Shart hargiz pasand nahi k Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke baad Mai'n khalifa banaya jau'n, Agar Mujhe Khilafat ki khwahish hoti to Mai'n is waqt hi kyu ise chhodne per Taiyaar hota_," ye Farmane ke baad Aapne Kaatib ko bulaya aur Suleh Naama likhne ka hukm diya,


: ★*"_ Ye Suleh Naama Hasan bin Ali bin Abi Taalib aur Mu'awiya bin Abi Sufiyan ke darmiyan likha jata hai, Dono in baato per Razamand ho gaye hai'n, Khilafat Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke supurd ki gayi, Unke baad Maslihat ke tahat jise chahenge Khalifa bana lenge, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke haath se Tamaam Musalman mehfooz rahenge, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke tarafdaaro ko kuchh bhi nahi kahenge _,"


★_ Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ko Jab ye Mu'ahida mila to Aap bahut khush hue, Aapne use Ba Khushi manzoor farmaya, fir Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne Koofe ki masjid me pahunch kar Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu se Bayt li, Koofa walo ne bhi Aapki Bayt ki,


★_ Bayt ke baad Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ne logo ko khutba diya, Uske Alfaz ye hai'n - "_ Mai'n Musalmano me fitne ko bahut makrooh samajhta hu'n, Apne Jadde Amjad ki ummat me se Fitne aur Fasaad ko door karne aur Musalmano ki jaan v maal mehfooz karne ke liye Maine Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu se Suleh ki hai aur unhe Apna Ameer aur Khalifa Tasleem kiya hai, Agar imaarat aur Khilafat unka Haq tha to unhe pahunch gaya aur Agar ye mera Haq tha to Maine ye haq unhe Bakhsh diya _,"


★_ Is Suleh ke baad Tamaam Mamlaat tay ho gaye aur is tarah Aan Hazrat ﷺ ki wo Pesh goi poori hui Jisme Aap ﷺ ne irshad farmaya tha - Mera Ye Beta Sardaar hai aur Allah ta’ala iske zariye Musalmano ke Do giroho me Suleh kara dega _,"

 ★_ Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ye khutba de kar mimbar se niche utre to Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne farmaya - Ey Abu Muhammad ! Aaj Aapne esi Jawa'n Mardi aur Bahaduri dikhayi hai k Aaj Tak koi nahi dikha saka _,"


★_ Ye Suleh Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Shahadat ke 6 maah baad 41 Hijri me hui, Isiliye 41 Hijri ko Aamul Jama'at ( Jama'at ka saal ) kaha gaya, Suleh ke Mukammal hone per Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu Koofa se Damishk ki taraf rawana ho gaye, Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu Jab Tak zinda rahe Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu unke Saath nihayat izzat aur Ahatraam se pesh aate rahe, 


★_ Is Suleh ke natije me Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu poore Aalame islam ke Khalifa ho gaye aur qareeb qareeb sabhi Hazraat ne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ki Khilafat ko Tasleem kar liya, Unke Haath per Bayt kar li, is Suleh ke baad Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu Koofa ki Sakunat chhod kar Madina Munawwara aa gaye aur baqi zindgi Aapne Madina Munawwara hi me Basar farmayi,


★_ Aapki wafaat 50 Hijri ya 51 Hijri me hui, Kaha jata hai k Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko kuchh Saazish karne walo ne Zehar diya tha, Aapko Aapki Walda Majida Sayyada Fatima Az Zohra Raziyallahu Anhma Khatoone Jannat ke pehlu me dafan kiya gaya, Aapke 9 Bete aur 6 Betiya'n thi, Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko Allah Ta'ala ne wo martaba ata farmaya k unke zariye Musalmano ki Aapas ki khana Jungiyo ka 10 Saala silsila khatm hua, Allah Ta'ala ki un per beshumar rehmate Naazil ho'n , Aameen Summa Aameen,


*★_ Alhamdulilah Khilafate Rashida Mukammal hua, Humne Likhne me bahut Ahatyaat se kaam liya hai fir bhi Basar hu'n, Kahi'n na kahi'n koi chook ho gayi ho koi Galti humse ho gayi ho to Hum Allah Ta'ala se Maafi v Tauba ke talabgar hai'n, Saath hi Aap Sabhi members ke shukrguzar hai'n k Aapne Seeratun Nabi ﷺ aur Khilafate Rashida Raziyallahu Anhum aur bhi Digar Unwaan per likhne me hamari hamesha Hausla Afza'i ki, Allah Ta'ala se Dua hai Allah Aap sabhi Hazraat ko Jaza e Khayr de aur hamari in koshisho ko qubool farmaye , Aameen Summa Aameen,*


 ╨─────────────────────❥

 *📕_ Khilafate Rashida _Qadam Ba Qadam ( Writer- Abdullah Farani ), 

 *📕_ खिलाफते राशिदा _ क़दम बा क़दम (मुसन्निफ- अब्दुल्लाह फारानी)- *

 ╨─────────────────────❥                                                                                             _ *✍🏻 Haqq Ka Daayi_*

    http://www.haqqkadaayi.com

https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg

*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,**

*Telegram*_https://t.me/joinchat/AAAAAFT7hoeE_C8b71KBPg   


  ╚═════════════┅┄ ✭✭

 ╨─────────────────────❥  

*💕ʀєαd, ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd 💕,*

 ╨─────────────────────❥

Post a Comment

 
Top