⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ MOHSIN E INSANIYAT ﷺ ■*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙ ★ *Part–52_* ★
*⚂ MAKKI DAUR -- WO NAUJAWAN ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Arab ke ek Mumtaz Mazhab aur A'ala Rivayaat rakhne wale Khandaan me, Saleemul Fitrat Walden Ke Qiranul Sa'aden ( Do Mubarak Sitaaro ke milan ) se Ek Anokha sa Bachcha Yateemi Ke Saaye ke Paida hota hai, Ek gareeb magar Shareef Zaat ki Daaya ka doodh pi kar Dehaat ke Sahat Bakhsh Mahol ke andar Fitrat ki god me palta hai, Wo Khaas intezam se Sehra me daud dhoop karte karte zindgi Ke maidaan me mashakkao ka muqabla Karne ki Tayyariya'n karta hai aur Bakriya'n Chara kar Tarbiyat pata hai,*
*❀"_ Bachpan ki poori Musafat Tay karne se pehle ye Anokha Bachcha Maa'n ke Safaqqat bhare Saaye se bhi Mehroom ho jata hai, Daada ki Zaat kisi had tak Walden ke is khala ko Shair karne wali thi lekin ye Sahara bhi chheen liya jata hai, Bil Aakhir Chacha Kafeel bante hai'n, Ye Goya maaddi Saharo se beniyaz ho kar ek Aaqa E Haqeeqi ke Sahare Ki Tayyari Karayi ja rahi hai,*
*❀"_ Jawani ke Daayre me qadam rakhne Tak ye Anokha Bachcha Aam Bachcho ki tarah khel kood me mashgool aur Shreer ban kar saamne nahi aata, Balki Budho ki si Sanjeedgi se Araasta nazar aata hai, Jawan hota hai to intehayi Faasid mahol me palne ke Bavjood Apni jawani ko bedaag rakhta hai, Ishq aur Nazar baazi aur Badkaari Jaha'n Nojawano ke liye Sarmaya iftikhar bane hue ho'n, Waha'n Wo Apne Damaane Nazar tak ko ek Aan bhi Mela nahi hone deta_,"*
*❀"_ Jaha'n gali gali Sharab Kasheed karne ki bhattiya legi ho'n, ghar ghar me Sharab khane khule ho'n, Jaha'n Majlis Majlis Dukhte Raz ( Sharab ) ke qadmo me imaan v Akhlaaq nichhawar kiye jate ho'n, aur fir Jaha'n Sharab ke charche Fakhriya Qaseedo aur Shayro me kiye jate ho'n, Waha'n ye Judagana Fitrat ka Nojawan kabhi qasam khane ko bhi Sharab ka ek qatra tak Apni Zubaan per nahi rakhta,*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
★ *Post–53_* ★
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_:_ Jaha'n Qimaar ( Juwa'n Baazi) qaumi mashgala banta chala aa raha tha Waha'n Ye Nojawan Ek Mujassama Pakeezgi tha k jisne kabhi Mohro ko haath se na chhua, Jaha'n Dastaan goi aur mosiqi culture ka laazma bane hue they Waha'n kisi aur hi Aalam ka ye Nojawan lahu v Lahab se bilkul alag thalag raha, aur Do martaba ese moqe paida hue bhi k ye Nojawan esi Majalis Tafreeh me ja pahu'ncha lekin jate hi esi neend taari hui k Sama v Basar ka Daaman paak raha ,*
*❀"_ Jaha'n Buto ke saamne Sajda Paashi Ain Deen v Mazhab qaraar pa Chuki thi Waha'n Khadaane Ibrahimi ke is Pakiza Mizaaj Nojawan ne na Gairullah ke Saamne kabhi Apna Sar jhukaya na koi Mushrikana Aitmaad ka Tasavvur Apne andar Jazb kiya balki ek Martaba Buto ke Chadhave ka Jaanwar paka kar laya gaya to usne Wo khana khane se inkaar kar diya,*
*❀"_ Jaha'n Quresh ne Zamana Hajj me Apne Aapko Arfaat jane se muatasna ( alag ) kar liya tha, Waha'n is mumtaz martabe ke Qureshi ne kabhi is Manghadat istasna se fayda na uthaya, Jaha'n Aulade Ibrahimi ne Maslake Ibrahimi ko bigaad kar doosri Kharabiyo ke saath Kaaba ka Tawaaf Haalate Uryani ( Nanga ho kar ) karne ki ek gandi Bid'at paida kar li thi, Waha'n is Hayadaar Nojawan ne kabhi is Bid'at ko Akhtyar na kiya,*
*❀"_ Jaha'n Jung ek khail thi aur insaani khoon bahana ek Tamasha tha, Waha'n Ahatrame Insaniyat ka Alambardaar ye Nojawan Esa tha k Jiske Daaman per khoon ki ek Chhee'nt na padi thi,*
*❀"_ Fir is Paakbaaz v Afeef Nojawan ki Dilchaspi dekhiye k Ain bahak jane wali Umr me wo Apni khidmaat Apne hum khayal Nojawan ki ek islah pasand Anjuman ke Hawale karta hai Jo Hilful Fuzool Ke naam se gareebo aur mazloomo ki madad aur Zalimo ke Zulm ko khatm karne ke liye qaa'im hui thi, Uske Shurka ne is maqsad ke liye Halfiya Ahad baa'ndha, Aap ﷺ daure Nabuwat me iski yaad taza karte hue farmaya karte k - Us muahide ke muqable me Agar mujhko Surkh rang ke Ou'nt bhi diye jate to Mai'n usse na firta aur Aaj bhi ese muahide ke liye koi bulaye to Mai'n Haazir hu'n _,"*
─━━━════●■●════━━━─
★ *Part–54_* ★
*⚂ MAKKI DAUR -- WO NAUJAWAN ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- Fir Us Nojawan ki Sifaat aur Salahiyato ka Andaza isse kijiye k Tameere Kaaba ke moqe per Hajre Aswad Nasab karne ke maamle me Quresh me Kashmkash paida hoti hai aur Talwaare miyano se bahar nikal aati hai'n, Lekin Taqdeer ke ishare se is jhagde ko niptane ka Sharf isi Nojawan ke Hisse me aata hai, intehayi Jazbaati Tanaav ki is Fiza me ye Judge aur Sulah Ka Alambardaar ek Chaadar bichhata hai aur us per Patthar ko utha kar rakh deta hai aur Fir Dawat deta hai k Tamaam Qabile ke log mil kar is chaadar ko uthao, Chaadar Patthar Samet Mutaharrik ho jati hai aur jab moqe per ja pahu'nchte hai'n to Wo Nojawan us Patthar ko utha kar uski Jagah per Nasab kar deta hai, Jhagde ka Saara gubaar chhat jata hai aur chehre khushi aur itminaan se chamak uthte hai't,*
*❀"_ Ye Nojawan Maidaan E Ma'ash me qadam rakhta hai to Tijarat jesa Pakiza aur Mo'azziz mashgala Apne liye pasand karta hai, koi baat to is Nojawan me thi k Achchhe Achchhe Ahle Sarmaya ne ye pasand kiya k ye Nojawan unka Sarmaya apne haath me le aur Karobaar kare, Fir Saa'ib, Qais bin Saa'ib Makhzumi, Hazrat Khadija Raziyallahu Anha aur Jin doosre logo'n ko is Nojawan ke Husne Mamlaat ka ilmi Tajurba hua, Unhone use "Taajir E Ameen" ka laqab diya _,"*
*❀"_ Abdullah bin Abi Almumsa ki gawahi Aaj bhi mehfooz hai k Baisat se pehle Khareed farokht ke maamle me us Taajir E Ameen se Tay hua k Aap thehre Mai'n abhi fir Aaunga, lekin baat aayi gayi ho gayi, Teesre Roz ittefaqan Abdullah ka guzar usi muqam se hua to dekha k wo Taajir E Ameen Vaade ki Dori se bandha usi jagah khada hai aur kehta hai k "Tumne mujhe Zehmat di, Mai'n isi muqam per teen Din se mojood hu'n _," (Abu Douwd)*
*❀"_ Fir dekhiye k ye Nojawan Rafiqa E Hayaat ka intekhab karta hai to Makka ki Nav Umr Shokh v Shang ladkiyo'n ko ek Zara sa Kharaj nigaah tak diye bager Ek esi Khatoon se Rishta munakhat Ustwaar karta hai jiski sabse badi Khoobi ye hai k Wo Khandaan aur Zaati Seerat v Kirdaar ke Lihaaz se Nihayat Asraf khatoon hai, Uska ye Zoqe intekhab uske Zahan, Uski Rooh, Uske Mizaaj aur uski Seerat ki Gehraiyo'n ko poori tarah numaya kar deta hai, Paigaam khud wohi Khatoon Hazrat Khadija Raziyallahu Anha bhejti hai'n, Jo Us Yakta Rozgaar Nojawan ke kirdaar se mutassir hoti hai'n aur ye Nojawan us Paigaam Ko Sharah Sadr ke Saath Qubool karta hai _,"*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵ ★ *Part–55_* ★
*⚂ MAKKI DAUR -- WO NAUJAWAN ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- Fir Kisi Shakhs ke zahan v Seerat ko Agar uske Halka E Ahbaab ka jaaiza lene se jaa'ncha ja sakta hai to Aaiye dekhiye k Us Arbi Nojawan ke Dost kese log they, Galiban Sabse Gehri Dosti aur Sabse Zyada be Takallufana Raabta Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu se tha, Ek Hum Umri ouper se hum mizaji !*
*❀"_ Us Nojawan ke Dosto'n me Ek Shakhsiyat Hakeem bin Hizaam Raziyallahu Anhu ki thi, Jo Hazrat Khadija Raziyallahu Anhu ke bhatije they aur Haram ke Mansabe Rafada per Faa'iz they, Hijrat ke Aathve Baras tak ye imaan nahi laye, lekin fir bhi Aan Hazrat ﷺ se gehri muhabbat rakhte they aur is muhabbat ke Tahat ek martaba Pachaas Asharfiyo ka ek Qeemti Hulla ( Jubba ya Chaadar ) khareed kar Madina me aa kar pesh kiya, Magar Aan Hazrat ﷺ ne ba israar Qeemat Ada kar di,*
*❀"_ Fir Halka E Ahbaab ke ek Rukn Zamaad bin Saalba Azdi they Jo Tababat (Hikmat) v Jarahi ( ilaaj Karne ) ka kaam karte they, Is Nojawan ke Halka E Ahbaab me kya koi ek bhi Fitrat past Zoq aur Kamina Mizaaj Aadmi dikhayi deta hai ? Makka ke Ashraar ( Badmasho) me se kisi ka naam is fehrist me milta hai ? Zalimo aur Faasiqo me se koi is Daayre me Saamne aata hai ?*
*❀"_ Fir dekhiye k Ye Yakta E Zamana Nojawan ghar baar ki dekh bhaal, Tijarat aur Duniyavi Mamlaat ki gonagoi masrufiyato se faarig ho kar jab kabhi koi fursat ka waqt nikalta hai, To use Tafrihaat v Taishaat ( Aysho ishrat) me Kharch nahi karta, Use koocha gardi me aur Majlis Araa'i aur gappo me nahi khapata, use So So kar aur Gaflat me bekaar pade reh kar nahi guzaarta, balki Saare Hungamo se kinara kar ke aur Saare Mashgalo ko Chhod kar Gaare Hira ki khilwato me Khuda E Waahid ki ibaadat aur uska Zikr Apni Fitrat Mutahara ki Rahnuma'i ke mutabiq karta hai,*
*❀"_ Kaynaat Ki Gehri Haqeeqato ko Akhz karne ke liye aur insaani zindgi ke Gaibi Raazo ko pa lene ke liye Aalam Unfas v Afaaq me gor v Fikr karta hai aur Apni Qaum aur Apne Arba no ko Akhlaqi pastiyo se nakaal kar Farishto ke martaba per lane ki Tadbeere sochta hai, Jis Nojawan ki Jawani ki Fursate is tarah sarf ho rahi ho kya uski Fitrat ke bare me insaani basirat koi raay qaa'im nahi kar sakti ?*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 116,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–56_* ★
*⚂ MAKKI DAUR -- WO NAUJAWAN ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Hone wale Aakhri Nabi ﷺ is Naqsha E Zindgi Ke Saath Quresh ki Aa'nkho ke Saamne aur unke Apne hi Makki Ma'ashre ki god me palta hai, Jawan hota hai aur pukhtgi ke Martabe ko pahu'nchta hai, Kya ye Naqsha E Zindgi Bol Bol kar nahi bata raha tha k Ye ek Nihayat hi gair Mamooli Azmat rakhne wala insaan hai ? Kya is Uthaan se Uthne wali Shakhsiyat ke bare me ye raay qaa'im karne ki kuchh bhi gunza'ish kisi pehlu se milti hai k Nauzubillah ye kisi jhoote aur Farebi ka Naqsha hoga ?*
*❀"_ Hargiz nahi ! Hargiz nahi ! Khud Quresh ne use Saadiq v Ameen, Daana v Hakeem aur Paak nafs v Buland kirdaar Tasleem kiya, aur baar baar Tasleem kiya, Uske Dushmano ne uski zehni v Akhlaqi Azmat ki gawahi di aur Sakht Tareen Kashmkash karte hue di ! Daa'i bar haq ke Naqsha E Zindgi ko khud Qur'an ne daleel bana kar pesh kiya, "Aakhir isse pehle Mai'n ek Umr tumhare darmiyan guzaar Chuka hu'n, Kya tum Aqal se kaam nahi lete _," ( Yunus- 16)*
*❀"_ Lekin Apni Qaum ka ye Chamakta hua Heera Jab Nabuwat ke Mansab se Kalma Haq pukarta hai to Zamane ki Aa'nkho ka rang badal jata hai aur uski Sadaqat v Dayanat aur uski Sharafat v Najabat ki qadar v Qeemat Bazaare waqt me yaka yak gira di jati hai, Kal tak Jo Shakhs Qaum ka Maya Naaz Farzand tha Aaj wo uska Dushman aur mukhalif ban jata hai,*
*❀"_ Kal tak Jiska Ahatram bachcha bachcha karta tha, Aaj wo ek ek qadardaan ki nigaaho me mabgooz theharta hai, Wo Shakhs Jisne Chalees Saal tak Apne Aapko saari kasotiyo per khara Saabit kar ke dikhaya tha, Toheed, Neki aur Sachcha'i ka paigam Sunate hi Quresh ki nigaaho me khota Sikka ban jata hai, Khota wo na tha balki Unki Apni Nigaaho me Khot tha aur unke Apne maiyaar galat they,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 117,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–57_* ★
*⚂ MAKKI DAUR ⚂*
*QURESH KI MUKHALFAT KI VAJAH* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Kya Quresh Ki Aa'nkhe itni Andhi thi k Wo Mahol ki Tareekhiyo me jagmagate hue Ek Chaand ki Shaan nahi dekh Sakti thi ? Kya unki Mehfil me wo Ou'nche Akhlaqi Qado Qaamat rakhne wale ek Sardaar ko nahi pehchan sakti thi ? Kya khaar v Khas ke Hujoom me ek Guldasta E Sharafat v Azmat unse Apni Qadro Qeemat nahi manwa saka tha ?*
*❀"_ Nahi Nahi ! Quresh khoob pehchante they k Muhammad ﷺ Kya hai'n ? Magar Unhone Jaan Boojhkar Aa'nkho per Patti rakh li, Mufaad aur Ta'assubaat ne unko Majboor kiya k Wo Aa'nkhe rakhte hue Andhe ban jaye'n, Jab Koi Aa'nkhe rakhte hue Andha ban jata hai to usse badi badi musibate aur Tabahiya'n runuma hoti hai'n, "_Aur unke paas Aa'nkhe hai'n magar Wo unse dekhte nahi _," (Al A'araaf -179)*
*❀"_ Aaj Agar kisi Tarah hum mushrikeen Makka se baat kar sakte to unse puchhte k Tumhare Khandaan ke Us Chashm V Charaag ne jo Dawat di thi Wo fi nafsa kya Buraa'i ki Dawat thi ? Kya usne tumko chori aur Daake ke liye bulaya tha ? Kya usne tumhe Zulm aur Qatl ke liye pukara tha ? Kya usne tumhe Bewao'n aur Kamzoro per Jafae'n dhane ki koi sceem pesh ki thi ? Kya usne tumko Aapas me ladane aur Qabile Qabile me Fasaad daalne ki Tehreek chalayi thi ? Kya usne maal Sametne aur Jaydaad banane ke liye ek Jama'at khadi ki thi ? Aakhir tumne uske Paigaam me kya Kami dekhi ? Uske program me konsa Fasaad Mehsoos kiya ? Kyu tum pare baa'ndh kar uske khilaf uth khade hue ?*
*❀"_ Quresh ko jis cheez ne Jaahiliyat ke Faasid Nizaam ke Tahaffuz aur Tabdeeli ki ro ki mazahmat per Andhe junoon ke saath utha khada kiya Wo ye hargiz na thi k Muhammad ﷺ ke Fikr v Kirdaar me koi rukhna ( Lalach) tha ya Aap ﷺ ki Dawat me koi khatarnak kharabi thi, balki wo cheez Sirf Quresh ki Mufaad Parasti thi !*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 118,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–58_* ★
*⚂ MAKKI DAUR ⚂*
*QURESH KI MUKHALFAT KI VAJAH* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- Quresh Saalha Saal ke Jame hue Arbi Ma'ashre ke saa'nche me Apne liye ek Ou'ncha maqame Qayadat haasil kar chuke they, Tamaam Siyasi aur Mazhabi manasib unke haath me they, iqtsaadi ( maali) aur Karobaari Lihaaz se Sayadat ( sardaari ) ka Sikka rawa'n tha, Poori Qaum ki chodhrahat usi mazhaabi v Tamadduni v Ma'ashrati Saa'nche me chal sakti thi Jo Jaahili daur me ustvaar tha, Agar wo Sha'uri aur Gair Sha'uri tor per Majboor they k Apni chodhrahat ka Tahaffuz kare'n to fir wo is per bhi Majboor they k Jaahili Nizaam ko bhi har hamle aur har Tanzil ( kami ) se bachaye'n _,*
*❀_"_ Quresh Jaha'n Siyasi v Ma'ashrati Lihaaz se Chhodhri they Waha'n wo Arab ke Mushrikana mazhab ke purohit, Mazhabi isthano ke mujawir aur Tamaam Mazhabi Umoor ke Thekedaar bhi they, Ye Mazhabi thekedaari, Siyasi v Ma'ashrati Chodhrahat ki bhi Pushtebaan (madadgaar) thi aur bajaye khud ek bada karobaar bhi thi, iske zariye Saare Arab se Nazre aur Niyaaze aur Chadhaave khinche chale aate they, iski vajah se unki Daaman bosiya'n hoti thi, iski vajah se unke qadmo ko chhuwa jata tha,*
*❀_"_ Mazhab jab ek Tabqe ka Karobaar ban jata hai to uski Asal rooh aur maqsadiyat ko chhod diya jata hai aur gonagoi Rasmiyaat ka ek numa'ishi Tilasm qaa'im ho jata hai, Usooli taqaze faramosh ho jate hai'n aur Mazhabi karobaar ki Apni banayi hui ek Shari'at Aahista Aahista jagah pa jati hai,*
*❀_"_ Ma'aquliyat ( Insaniyat ) khatm ho jati hai, Andhi Aqeedate aur Fizool Waham Parasti har taraf chha jati hai, istadlaal gayab ho jata hai aur Jazbaati Haijanaat Aqal ka gala gho'nt lete Hai'n, Mazhab ka Awaami v Jamhoori Mizaaj kafoor ho jata hai aur Thekedaar tabqe ka Tahakkum Ma'ashre ke Seene per Sawaar ho jata hai, Haqeeqi ilm mit jata hai, Hawa'i baate maqbool Aam ho jati hai, Aitqaad v Ahkaam ki Saadgi hawa ho jati hai _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 118,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–59_* ★
*⚂ MAKKI DAUR ⚂*
*QURESH KI MUKHALFAT KI VAJAH* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Jab Kabhi Mazahib me bigaad paida hua hai to Hamesha wo is Nahaj per hua hai, Jaahili Arab me Ye bigaad bilkul Apni intehayi Shakl per pahu'ncha hua tha, Isi bigaad per Quresh ki Mannat Gardi aur Mujawari ki Saari Gaddiya'n qaa'im thi, Ye Zar Khaiz Gaddiya'n Apni baqa ke liye is baat ki Mohtaaj thi k Faasid Mazhabiyat ke Dhaa'nche ko Jo'n Ka Tyo'n qaa'im rakha jaye aur iske khilaf na koi Sada E Ahatjaaj v ikhtilaaf uthne di jaye aur na kisi Dawat Tagayyur v islaah ko barpa hone diya jaye, Pas Quresh Agar Dawat E Muhammadi ﷺ ke khilaaf Tilmila kar na uth khade hote to aur kya karte ?*
*❀"_ Aur fir Haal ye tha k Quresh Ka Culture Nihayat Fasiqana Culture tha, Sharab aur Badkaari, Juwa'n aur Soodkhori, Aurto'n ki Tehqeer v Tazleel aur Betiyo'n Ka Zinda Dafan karna, Azaado ko Gulam banana aur Kamzoro per Zulm dhaana, Ye sab us Culture ke lawazim they, Quresh Ke liye Asaan na tha k wo Apne haatho banaye hue is Apni Tehzeebi Qabas ko tod kar Ek nayi Fiza me parwaaz karne ke liye Tayyar ho jaye'n, Unhe Foran mehsoos ho gaya k Dawat E Muhammad ﷺ unki Adaat unki Khwahishaat unke funoon Latifa aur unke Mehboob Culture ki Dushman hai, Chuna'che wo Jazbaati Haijaan ke saath uski Dushmani ke liye uth khade hue,*
*❀"_ Dar Haqeeqat yahi Vajah aur Asbaab hamesha Dawate Haq ke khilaaf kisi bigde hue Samaaj ke Bade Logo'n aur Mazhabi Thekedaaro aur Khwahish Parasto ko Muttahid Muhaaz bana kar uth khade hone per majboor kar dete hai'n,*
*❀"_ Baisat E Nabvi ﷺ se pehle Zaheen Logo'n me is Mazhab is Ma'ashre aur is Mahol ke bare me iztraab ( Bechaini) paida ho chuka tha aur Fitrate insaani iske khilaaf Jazba Ahatjaaj ke saath angdayi le rahi thi, Hum Abhi ouper Jin Hassas Afraad ka zikr kar chuke hai'n unki Rooho'n ke Saaz se Tabdeeli ka Dheema Dheema nagma buland hone laga tha _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 119,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–60_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- TAREEK MAHOL ME CHAND SHARARE ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Tareek Mahol me Chand Sharare :-*
*❀"_Quresh Apne ek But ke gird jama ho kar Eid Ka Program mana rahe they, Us Patthar Ke Khuda ki Tareef v Tazeem ho rahi thi, Us per Chadhave Chadhaye ja rahe they, Uska Tawaaf ho raha tha aur is Aalam me Chaar Aadmi yani Warqa bin Nofil, Abdullah bin Jahash, Usman bin Alhuwers aur Ziad bin Amru bin Nufel us layani hungame se bezaar alag thalag bethe ek Khufiya meeting kar rahe they,*
*❀"_ in Logo'n ke Khayalaat ye they k Hamari Qaum ek bebuniyaad maslak per chal rahi hai, Apne Dada Ibrahim ke Deen ko Unhone ganva diya hai, Ye Jis Patthar ke Mujassame ka Tawaaf kiya ja raha hai ye na dekhta hai, na Sunta hai na Nuqsaan pahu'ncha Sakta hai, Na Zila de sakta hai, Saathiyo! Apne Dilo ko tatolo to khuda ki qasam Tum mehsoos karoge k Tumhari koi Buniyaad nahi hai, Mulk Mulk ghoomo aur khoj lagao Deen E Ibrahim Alaihissalam ke Sachche Peru'o ( maanne walo) ka _," ( Seerat ibne Hisham- 242)*
*❀"_ Baad me inme se Warqa bin Nofil iysaai ho gaya, Abdullah bin Jahash jesa tha wesa hi raha magar uske zahan me uljhan rahi, kuchh arse baad islam laya, Fir Muhajireen Habsha ke Saath Habsh me Hijrat ki aur uske saath uski Ahliya Umme Habiba binte Abu Sufiyan Raziyallahu Anha bhi Hijrat me gayi'n, Waha'n jane ke baad Abdullah dobara Nasrani ho gaya aur isi Haalat me Maut waqe hui,*
*❀"_ Zaid bin Amru ne na Yahoodiyat Qubool ki na Nasraniyat, Lekin Apni Qaum ka Deen Tark kar diya, But Parasti chhod di, Murdaar aur khoon aur asthano ke Zabiho se parhez shuru kar diya, Betiyo'n ke qatl se Logo'n ko baaz rehne ki Talqeen karta raha aur kaha karta k Mai'n To Ibrahim ke Rab ka parastaar hu'n _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 120,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–61_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- TAREEK MAHOL ME CHAND SHARARE ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Asma binte Abu Bakar Raziyallahu Anha ka bayan hai k Maine Budhe Sardaar Zaid bin Amru ko Kaabe ke Saath tek lagaye hue dekha aur wo keh raha tha- Ey Quresh ke Logo'n ! Qasam us zaat ki Jiske Qabze me Zaid bin Amru ki jaan hai, Mere Siva tumme se koi bhi Ibrahim ke Deen per Qaa'im nahi raha, Fir kehne laga- Ey khuda ! Agar Mai'n jaanta k Tujhe konse Tareeqe pasand hai'n To Mai'n unhi Tareeqo se teri ibaadat karta, Lekin Mai'n nahi jaanta, Fir Hatheliya'n tek kar Sajda karta _," (Seerat ibne Hisham-242)*
*❀"_ Apne maanne walo ke Saamne wo Aksar ye Ash'aar padhta :- ( Tarjuma) Rab Ek hona chahiye Ya Sai'nkdo rab bana liye jaye'n? Mai'n us mazhab per kese chalu jab k Masa'il E Hayaat Ka'i maboodo me baa'nt diye gaye ho'n, Maine Laat v Uzza Sabko tark kar diya hai aur Mazboot aur Sabr Kaish Shakhsiyate Esa hi karti hai'n, magar Haa'n! Ab Mai'n Apne Rab Rahman ka ibaadat guzaar hu'n Taki Wo Bakhshish Farmane wala Aaqa mere Gunaho ko maaf kar de, So tum Allah hi ke Taqwe ki Hifazat karo, Jab Tak is Sifat ko qaa'im rakhoge kabhi ghaate me na padoge _," ( Seerat ibne Hishaam- 244)*
*❀"_ Bechare Zaid ki Bivi Safiya binte AlHuzrami Hamesha uske pichhe padi rehti, basa Awqaat wo khaalis Ibrahimi Deen ki Justju ke liye Makka se nikal khade hone ka iraada karta Lekin uski Bivi Khattab bin Nufel ko Agaah kar deti aur wo use Deene Aabayi ke chhodne per Sakht baate kehta, Zaid ki ibaadat ka Aalam ye tha k Sajda gaah Kaaba me Dakhil hota to pukar uthta - Labbek Ey khudawand ! Bar Haq Mai'n tere Huzoor ikhlaas mandana ibaadat guzarana aur gulamana Andaz se haazir hu'n, Fir kehta - Mai'n Kaaba ki taraf Moo'nh kar ke usi zaat ki panah talab karta hu'n jiski panah Ibrahim Alaihissalam ne dhoo'ndhi thi _," ( Iyza-248)*
*❀"_ Khattab bin Nufel Zaid ko Takleefe deta raha, Yaha'n tak k Makka ke balaa'i jaanib Shehar Badar kar diya aur Zaid ne Makka ke Saamne Hira ke paas ja apni ibaadat shuru kar di, Fir Khattab ne Quresh ke Chand Nojawano aur Kuchh Kamina Khaslat Afraad ko uski nigrani per mamoor kar diya aur unko Takeed ki k Khabardaar ise Makka me dakhil na hone do _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 120,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–62_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- TAREEK MAHOL ME CHAND SHARARE ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Chunache Tang aa kar Zaid bin Amru ne Watan chhoda aur Mosil Jazira aur Sham vagera me Ibrahimi Deen Ki Justju me maara maara firta raha, Aakhir kaar wo Damishk ke ilaaqe me Ek Sahibe ilm Raahib ke paas Pahu'ncha aur usse Gum Gushta maslake Ibrahimi ka Suraag puchha,*
*❀"_ Raahib ne kaha - Aaj tujhe is Maslak per chalne wala koi ek Shakhs bhi na milega, Albatta Ek Nabi ke Zahoor ka Waqt aa pahu'ncha hai Jo usi Jagah se uthega Jaha'n se nikal kar Tu aaya hai, Wo Deene Ibrahimi ka Alambardaar ban kar uthega, Ja kar usse mil, in dino uski Baisat ho chuki hai _,"*
*❀"_ Zaid ne Yahudiyat v Nasraniyat ko khoob dekh bhaal liya aur unki koi cheez uske Dil ko na lagi, Wo Raahib ki Hidayat ke mutabiq Makka ki taraf lapka, Billad Lakhum me Logo'n ne usko qatl kar diya _," ( Seerat ibne Hishaam-50, 249)*
*❀"_ is tarah ke Hassas Afraad ke Zahni Halaat ko dekhe'n to Andaza hota hai k Mahol ek Zindgi Bakhsh Paigaam Ke Liye Mazboot ho raha tha, Tareekh jis inqilabi Quwwat ko maa'ng rahi thi Wo Apne Theek waqt me Muhammad ﷺ ki Shakhsiyat ki Soorat me Ko'npal nikaalti hai,*
*❀"_ Aap ﷺ Ek Manfi Sada E Ahatjaaj ban kar aur Apne infiradi Zahan v Kirdaar ki Fikr le kar Namudaar nahi hue, balki Ek Jaama Musabbat nazariya v Maslak ke Saath saari Qaum aur Saare Mahol ki ijtimayi Tabdeeli ke liye maidaan me utre _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 121,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–63_* ★
*⚂ MAKKI DAUR-⚂*
*DAWAT KA KHUFIYA DAUR* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Dawat Ka Pehla Khufiya Daur :-*
*❀"_ Muqadma aur Nabuwat ke tor per Aan Hazrat ﷺ Rooya E Sadiqa ( Sachche Khwabo) se nawaze gaye, kabhi gaibi Awaaze sunayi deti, kabhi Farishta dikhayi deta, Yaha'n tak k Arshe ilaahi se pehla Paigaam aa pahu'ncha, Jibrail aate hai'n aur pukarte hai'n k "Iqra bismikallazi Khalaq" ( Padho Ey Nabi ! ﷺ Apne Rab ke naam ke saath Jisne paida kiya, Jame hue khoon ke ek lothde se insaan ki Takhleeq ki, padho aur tumhara Rab bada Kareem hai Jisne Qalam ke Zariye ilm sikhaya aur insaan ko wo ilm diya Jise Wo na jaanta tha _,"( Al Alaq )*
*❀"_ Wahi E ilaahi ke Awwaleen Tajurbe me haibat v jalaal ka bahut Sakht bojh Aap ﷺ ne mehsoos kiya, Fir Hazrat Jibrail ne Aan Hazrat ﷺ ko seene se laga kar bhee'ncha aur fir kaha padho, Garz ye k Aakhir kaar Aap sehme Sehme Jibrail ke kahe hue ek ek lafz ko dohrate rahe, Yaha'n tak k pehla kalaam E Wahi yaad ho gaya,*
*❀"_ Ghar aa kar Apni Rafiqa E Raazda'n se Waqi'a bayan kiya, Unhone tasalli di k Aapka khuda Aapka saath na chhodega, Warqa bin Nofil ne tasdeeq ki k ye To wahi Namoos farishta hai Jo Moosa Alaihissalam per utra tha, balki mazeed ye kaha k Yaqinan log Aapki Takzeeb karenge, Aapko Tang karenge Aapko Watan se nikalenge aur Aapse ladenge, Agar Mai'n us waqt Tak zinda raha to Mai'n khuda ke kaam me Aapki himayat karunga _,"*
*❀"_ Ab Goya Aap khuda ki taraf se Dawat E Haq per ba qaayda mamoor ho gaye, Aur Aap per ek bhaari zimmedari daal di gayi, Ye Dawat sabse pehle Hazrat Khadija Raziyallahu Anha hi ke Saamne aayi aur Wahi is per imaan lane walo ke Sabse pehli hasti qaraar payi'n _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 122,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–64_* ★
*⚂ MAKKI DAUR-⚂*
*DAWAT KA KHUFIYA DAUR* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Fir ye kaam Khufiya Tor per dheemi dheemi Raftaar se chalne laga, Aapke Bachpan ke Saathi aur Poori tarah Mazaaq v Hum Mizaaj Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu they, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Jo Aapke Chachazaad Bhai they, In sabke Saamne jab Paigaam Haq aaya to Unhone kisi Tammul v Tawaqquf ke bager is tarah Labbek kahi jese pehle se Rooh is cheez ki pyasi thi, inke alawa Zaid Raziyallahu Anhu Rafeeq E Maslak bane Jo Aapke parwarda Gulam they aur Aapki zindgi aur kirdaar se mutassir they,*
*❀"_ Aap per Qareeb Tareen Logo'n Ka imaan Lana Aapke ikhlaas aur Aapki Sadaqat ka bajaye khud ek Saboot hai, Ye Wo Hastiya'n thi'n Jo Ka'i baras se Aapki Private aur Public Life se aur Aapke Zaahir v Baatin se poori tarah Waaqif thi'n, Inse badh kar Aapki zindgi aur kirdaar aur Aapke Zahan v fikr ko jaanne wala koi aur nahi ho sakta tha, In qareeb Tareen Hastiyo'n ne bilkul Agaaz me Aapke bulawe per Labbek keh kar Goya ek Shahadat pahu'ncha di, Dawat ki Sadaqat aur Daa'i ke ikhlaas ki,*
*❀"_ Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Tehreeke Muhammadi ﷺ ka Sipahi bante hi Apne Halqa E Asar me Zor Shor se kaam shuru kar diya aur Mutaddid Aham Shakhsiyato Maslan - Hazrat Usman, Hazrat Zuber, Hazrat Abdurrahman bin Auf, Hazrat Sa'ad bin Waqaas, Hazrat Talha Rizwanullahi Alaihim Ajma'ien ko is inqilabi Halqe ka Rukn bana diya,*
*❀"_ Hazrat Ammar, Hazrat Khabbab, Hazrat Arqam, Hazrat Sa'ad bin Zaid ( Unhi Zaid bin Amru ke bete Jinka Tazkira pehle guzar chuka hai, Ye Waalid ki Zindgi se mutassir they ) Hazrat Abdullah bin Masoud, Hazrat Usman bin Maz'oun, Hazrat Ubaida, Hazrat Suhaib Rumi Rizwanullahi Alaihim Ajma'ien bhi islami Tehreek ke ibtidayi Khufiya Daur me Sabiqeen Awwaleen ki Saf me aa chuke they !*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 122,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–65_* ★
*⚂ MAKKI DAUR-⚂*
*DAWAT KA KHUFIYA DAUR* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Namaz Ka Waqt aata to Aan Hazrat ﷺ kisi pahaad ki khayi me chale jate aur Apne Rafqa ke Saath chhup chhupa kar Sajda Abudiyat Baja laate, Sirf Chasht ki Namaz Haram me padhte Kyu'nki ye Namaz khud Quresh ke Yaha'n bhi marooj thi, Ek martaba Aan Hazrat ﷺ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Saath kisi Darre me Namaz ada farma rahe they k Aapke Chacha Abu Taalib ne dekh liya, is naye andaz ki ibaadat ko dekh kar wo thithak gaye aur bade gor se dekhte rahe, Namaz ke baad Aapse puchha k ye kya Deen hai Jisko tumne Akhtyar kiya hai, Aap ﷺ ne farmaya- Hamare Daada Ibrahim Alaihissalam ka yahi Deen tha, Ye Sunkar Abu Taalib ne kaha k Mai'n ise Akhtyar to nahi kar sakta lekin tumko ijazat hai aur koi Shakhs tumhara Muzaham na ho sakega ( koi rok na sakega )_," ( Seeratun Nabi Allama Shibli -1/193)*
*❀"_ Hazrat Abuzar Raziyallahu Anhu bhi Tehreeke islami me isi Khufiya daur me imaan laye, ye bhi Unhi muztarab Logo'n me se they Jo But Parasti chhod kar Mahaz Fitrate Saleem ki rehnumayi me khuda ka zikr karte aur uski ibaadat Baja late, Un tak kisi Zariye se Aan Hazrat ﷺ ki Dawat ka noor pahu'nch gaya, Unhone Apne Bhai ko bheja k ja kar Sahi Malumaat laye'n _,"*
*❀"_ Unhone Aan Hazrat ﷺ se Mulaqaat ki, Qur'an suna aur Bhai ko bataya k Maine us Shakhs ko dekha hai, log use murtad kehte hai'n Lekin wo Makarime Akhlaq ki Taleem deta hai aur ek Ajeeb kalaam sunata hai Jo Shairo Shayri se bilkul mukhtalif hai, Uska Tareeqa Tumhare Tareeqe se milta julta hai_,"*
*❀"_ is ittela per khud aaye aur Aapke haath per islam qubool kiya, isse maloom hota hai k Bavjood ikhfa ke Mushke Haq ki khushbu ko Hawa ki lehre le udi thi aur Khuda ke Rasool ﷺ ke liye badnaam Kun Alqaab Tajveez karne ka Silsila shuru ho gaya tha lekin fir bhi mahol abhi pur Sukoon tha, Abhi wo khatre ka poora poora Andaza nahi paya tha,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 124,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–66_* ★
*⚂ MAKKI DAUR-⚂*
*DAWAT KA KHUFIYA DAUR* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- Dekhiye, Ek aur Aham Tareekhi Haqeeqat k Tehreek ke in Awwaleen Alambardaaro me koi ek bhi esa na tha jo Aala darje ke Mazhabi v Qaumi Manasib per mamoor ho, Ye Hazraat Agraaz ke bojh tale dabe hue aur mufaad ki Doriyo se bandhe hue na they, Hamesha ese hi Azaad fitrat Nojawan Tareekh me badi badi Tabdeeliya'n paida karne ke liye Agli Safo me aaya karte hai'n _,"*
*❀"_ Tehreek Apne Khufiya Daur me Quresh ki nigaaho me Tavajjo ke qabil na thi, Wo Samajhte they k ye chand Nojawano ka Sarfirapan hai, Ulti sidhi baate karte hai'n, Chaar Din me Dimaago se ye Hawa nikal jayegi, Hamare Saamne koi Dam maar sakta hai ?*
*❀"_ Magar Sare iqtidaar Tabqa Takhte Qayadat per betha Apne Zaam me Magan raha aur Sachcha'i aur Neki ki Ko'npal Takht ke saaye me Aahista Aahista jade chhodti rahi aur nayi pattiya'n nikaalti rahi, Yaha'n tak k Tareekh ki Zameen me usne Apna muqaam bana liya _,"*
*❀"_ Quresh ka Aitqaad ye bhi tha k Laat Manaat aur Uzza jinke aage hum peshaniya'n ragadte hai'n aur Chadhave pesh karte hai'n aur jinke hum khuddam Bargaah hai'n, Apne Ahatram aur Mazhab But Parasti ki khud Hifazat karenge aur unki Roohani maar hungama ko khatm kar degi _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 126,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–67_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥ Dawat E Aam :- Teen Baras isi tarah guzar gaye, lekin Mashiyate ilaahi Halaat ke Samandar ko bhala jama hua Kaha'n rehne deti ? Uski Sunnat to hamesha se ye rahi hai k Wo Baatil ke khilaaf Haq ko utha khada karti hai aur fir Takraav paida karti hai, "_ Magar hum to Baatil per haq ki chot lagate hai'n_," ( Al Anbiya -18)*
*❀"_ is Sunnat ke Tahat Yakayak doosre daur ke iftetah ke liye hukm hota hai, "_ Pas Ey Nabi ! Jis cheez ka tumhe hukm diya ja raha hai use Haa'nke pukare keh do aur Shirk karne walo ki Zara parwah na karo _," ( Al Hijr- 94)*
*❀"_ Aan Hazrat ﷺ Apni Saari Himmat v Azmiyat ko Samet kar naye Marhale ke mutawaqe halaat ke liye Apne Aapko Tayyar kar ke Kohe Safa per aa khade hote hai'n, aur Quresh ko Arab ke is khaas Usloob se pukarte hai'n Jisse waha'n kisi khatre ke Naazuk lamhe Qaum ko bulaya jata tha, Log daud kar aate hai'n, jama ho jate hai'n aur kaan muntazir hai'n k kya khabar Sunayi jane wali hai,*
*❀"_ Ab Ba Awaaz buland puchha - Agar Mai'n ye kahu'n k is Pahaad ke pichhe se ek Hamla Aawar fauj chali aa rahi hai to kya tum mera Aitbaar karoge ? Haa'n kyu nahi ? Humne tumko hamesha Sach bolte paya hai, Ye jawab tha Jo bil ittefaq majme ki taraf se diya gaya _,"*
*"_ To fir Mai'n ye kehta hu'n k khuda per imaan lao ... Ey Banu Abdul Muttalib ! Ey Banu Abde Munaaf ! Ey Banu Zohra ! Ey Banu Tameem ! Ey Banu Makhzoom ! Ey Banu Asad ! Varna tum per Sakht Azaab Naazil hoga _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 127,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–68_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ In Mukhtasar Alfaaz me Aap ﷺ ne Apni Dawat bar Sare Aam pesh kar di, Aapke Chacha Abu Lahab ne ye suna to Jal bhun kar kaha k "Gaarat ho jao tum Aaj hi ke Din ! ..kya yahi baat hai thi jiske liye tumne Hum sabko Yaha'n ikattha kiya tha ? Abu Lahab aur Doosre log bahut naraaz ho kar chale gaye,*
*❀_"_ Dekhiye ! Abu Lahab ke Alfaaz me Dawat Nabvi ﷺ ke Sirf Na Qabile gor hone ka Tassur jhalak raha hai, Abhi koi doosra ru Amal paida nahi hua, Shikayat sirf ye thi k Tumne Hume beja Takleef di aur hamara Waqt zaaya kiya ?*
*❀_"_ Dawate Aam ki muhim ka Doosra qadam ye uthaya gaya k Aan Hazrat ﷺ ne Tamaam Khandane Abdul Muttalib ko khane per bulaya, Is Majlise Ziyafat me Hamza, Abu Taalib aur Abbaas jese Aham log bhi Shareek they, Khane ke baad Aap ﷺ ne Mukhtasar si Taqreer ki aur farmaya k Mai'n Jis Paigaam Ko le kar aaya hu'n ye Deen aur Duniya dono ka kafeel hai, is muhim me kon Mera Saath deta hai ?*
*❀_"_ Bilkul ibtidayi Dawat me Aan Hazrat ﷺ is Haqeeqat ka Sha'oor rakhte they k Wo Duniya se kata hua mazhab le kar nahi aaye balki Duniya ko Sa'nwarne wala Deen le kar aaye hai'n, Aap ﷺ ki Dawat per Sukoot chha gaya, is Sukoot ke andar Terah Baras ka Ek Ladka uthta hai aur kehta hai k, Agarche Mai'n Ashoob Chashm me mubtila hu'n, Agarche meri Taa'nge patli hai'n, Agarche Mai'n ek Bachcha hu'n, lekin Mai'n is Muhim me Aapka Saath dunga, Ye Hazrat Ali Raziyallahu Anhu they Jo Aage Chal kar Asateen E Tehreek me Sumaar hue,*
*❀_"_ Ye manzar dekh kar Hazireen me khoob qahqaha pada ! Is Qahqahe ke zariye Goya Khandane Abdul Muttalib ye keh raha tha k ye Dawat aur ye Labbek kehne wala Konsa karnaama Anjaam de lenge, Ye Sab kuchh ek Mazaaq hai Ek Junoon hai aur bas ! Iska jawab to sirf khanda istehza (Mazaaq) se diya ja sakta hai _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 127,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ Part–69_ ★
⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂ ─━━━════●■●════━━━─
❥❥_ Is Doosre Waqi'e per Mahol ka Sukoon nahi toota, Zindgi ke Samandar ke Ghadiyalo ne koi Angdayi nahi li, Lekin iske baad ye Teesra qadam uth to usne Ma'ashre ko Histriya ke is daure me mubtila kar diya Jo Aahista Aahista Shuru ho kar Roz Baroz Tand v Tez hota gaya !
❀"_ Is Teesre qadam ke bare me Guftgu karne se pehle ek aur Waqi'a ka Tazkira zaruri maloom hota hai, Jesa k Hum bayan kar chuke hai'n k Mukhalif mahol ki khatarnaak Sangini ki vajah se Namaz chori chhipe padhi jati thi, Aan Hazrat ﷺ aur Raqfqa E Tehreek Shehar se bahar Wadiyo'n aur Ghatiyo'n me ja ja kar Namaz Ada karte,
❀"_ Ek Din Ek Ghaati me Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu doosre Rafqa E Nabvi ﷺ ke Saath Namaz me they k Mushrikeen ne dekh liya, Ain Haalate Namaz me un Mushrikeen ne Fiqre kasne shuru kiye, Bura bhala kaha aur Namaz ki ek ek harkat per Fabtiya'n chust karte rahe, jab in layani baato ka koi jawab na mila to ladne per utar aaye,
❀"_ Is dange ke ek Mushrik ki Talwaar ne Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ko zakhmi kar dala, Ye thi khoon ki sabse pehli dhaar jo Makka ki khaak per khuda ki Raah me bahi ! Ye jaahili Ma'ashre ka Sabse pehla junoon Aamez Khooni Radde Amal tha aur us Radde Amal ke Tewar bata rahe they k Mukhalfat ab Tashaddud ke Marhale me dakhil hone wali hai ,"
📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 127, ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–70_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Tehreek ki Zere Satah ru ne Aahista Aahista aage badte hue 40 Moti ikatthe kar liye they, Ab Goya islami Jama'at ek mehsoos Taaqat ban chuki thi, Khullam Khulla Kalma Haq ko pukarne ka hukm aa hi chuka tha, Iski Tameel me Aan Hazrat ﷺ ne ek din Haram E Kaaba me khade ho kar Toheed ka Elaan kiya,*
*❀_"_ Lekin Mazhabiyat jab bigadti hai to uski iqtidaar is tarah Teh v Baala ho jati Hai'n k Wo ghar jo paigame Toheed ke Markaz ki Haisiyat se Ustwaar kiya gaya tha Aaj uski Chaar Diwaari ke andar khuda E Waahid ki Wehdat Ki Pukaar buland karna is Markaze Toheed ki Toheen ka mojib ho chuka tha, Buto ke vajood se Kaabe ki Toheen nahi hoti thi, Buto ke aage peshaniya'n ragadne se bhi nahi, nange ho kar Tawaaf karne, Seetiya'n aur Taaliya'n bajane se bhi nahi, Gairullah ke naam per Zabeehe pesh karne se bhi nahi, Mujawari ki fees aur Chadhave vasool karne se bhi nahi... Lekin us ghar ke Asal Maalik ka naam lete hi uski Toheen ho gayi thi !*
*❀_"_ Kaabe ki Toheen Haram ki behurmati ! Tauba Tauba kesi khoon khola dene wali baat hai, kesi Jazbaat ke Shole Bhadkane wali baat hai, Bhadakte hue Jazbaat ke saath Charo taraf se kalma Toheed ko sunne wale mushrikeen uth aate hai'n, Hungama barpa ho jata hai, Nabi ﷺ ye ghere me aa jate hai'n,*
*❀_"_ Haaris bin Abi Umme Haala ke ghar me they, Shor v Shagaf Sun kar Aan Hazrat ﷺ ko bachane ke liye daude lekin har taraf se Talwaare un pet toot padi aur wo Shaheed ho gaye, Arab Ke Andar islam aur Jaahiliyat Ki Kashmkash me ye Pehli Jaan thi jo Haq ki Himayat me Qurban hui,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 127,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–71_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Dekha Aapne ! Ek Dawat Jo Ma'qool aur Pur Sukoon Andaz se di ja rahi thi, Us per gor kar ke raay qaa'im karne aur istadlaal ka jawab Dalaa'il se dene ke bajaye Andhe Bhadakte Jazbaat se diya jata hai,*
*❀"_Sayyadna Muhammad ﷺ Kalma Haq Apni Talwaar se manwane nahi uthte, Lekin mukhtalif Taaqat Talware So'nt kar aa jati hai, Yahi ek Faasid Nizaam ke Mufaad Parast mukhalifeen ki Alamat hai k Ma'qooliyat ke jawab me Gusse me Aag baboola aur Daleel ke jawab me Talwaar liye maidaan me utre hai'n, Mukhalifeen me itna Zarf nahi tha k Wo Kam se kam Chand Hafte Chand Din Chand Lamhe haram se uthne wali Sada per Pur Sukoon Tareeqe se gor v Fikr kar sakte,*
*"❀_ Ye Tasleem karte k Muhammad ﷺ ko bhi unki tarah kisi nazriye falsafe Aqeede per imaan rakhne, kisi mazhab per chalne aur unki qaa'im karda soorat mazhab se ikhtilaaf karne ka haq hai, kam se kam imkaan ki had tak ye maante k ho sakta hai k hamare andar galti mojood ho aur Muhammad ﷺ hi ki Dawat se Haqeeqat ka Suraag mil sakta ho, Kisi Faasid Nizaam ke Sarbara kaaro me itna Zarf baqi nahi rehta, Unme ikhtilaaf ke liye Bardasht ki Quwwat bilkul khatm ho jati hai, Unki gor v Fikr ki Salahiyate Zang Alood ho jati Hai'n,*
*❀"_ Zara Andaza kijiye k kesi thi wo fiza jisme hum sabki Duniyavi v Aakhirvi falaah v Bahoodi ke liye Apni jaan ki Bazi laga dene wala Haq Ka Daa'i be Saro Samaan ke Aalam me Apna farz ada kar raha tha ?*
*❀"_ Ibrahim v Isma'il Alaihimussalam ke Pakiza jazbaat aur Pakiza Hasrato aur Tamannao ke masale se bane hue Haram E paak ke andar Makka Walo ki is Harkat ke ne aane wale daure mustaqbil ka ek Tasavvur to zaroor dila diya aur ek begunah ke khoon se Aa'inda Abwabe Tareekh ki Surkhi to jama di, lekin ye Asal zor Tashaddud ( Zyadti) ka iftetah ( Suruaat ) nahi tha,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 128,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–72_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Nabi ﷺ Ki Dawat Ko Paya Aitbaar se girane ke liye gali dene ka Kamina jazbe ke saath propoganda ke maahir ustado ne gona goh inqilab khade karne shuru kar diye, Maslan Ye kaha Jane laga k is Shakhs ki baat kyu sunte ho ye to ( Na'uzubillah) murtad hai, Deen Aslaaf k jiske hum ijaradaar ( Thekedaar) hai'n, Ye uske Daayre se bahar nikal gaya hai aur ab Apne paas se ek Anokha Deen ghad laya hai,*
*❀"_ Koi istadlaal nahi bas Apni Gaddiyo'n per bethe bethe kufr ka fatwa saadir kar diya jata hai, Ye bhi kaha jata hai k Ye To "Saabi" ho gaya hai, "Saabiyat" Chu'nki us waqt ki Mushrikana Society me ek badnam aur Napasandida Maslak tha, isliye kisi ka naam Saabi dhar dena wesi hi gaali tha jese Aaj kisi musalman ko Yahoodi ya Khaarji ya Nechari keh diya jaye,*
*❀"_ Haq ke Khilaaf Dalaa'il ke Lihaaz se jhoote log jab Manfi hungama uthate hai'n to unki propoganda ki muhim ka ek Hathiyar hamesha isi tarah ke Badnaam karne wale alqaab, Naamo aur istlaaho ka chaspa karna hota hai, gali gali Majlis Majlis Makka ke mushrikeen ne dhindhora peette firte they k dekho ji ! Ye log Saabi ho gaye hai'n, Bedeen ho gaye hai'n, Baap Daada Ka Deen Dharam inhone chhod diya hai, naye naye Aqeede aur naye dhang ghad kar la rahe hai'n,*
*❀"_ Ye Aa'ndhi ja uth rahi hogi to Tasavvur kijiye k usme Raasta dekhna aur Saa'ns lena Aam Logo'n per kitna dubhar ho gaya hoga, aur Daa'iyane Haq ke Mukhtasar se Qafile ko kis Aafat ka Saamna karna pad raha hoga ? Magar Aa'ndhiya'n Arbaabe Azmat ke Raaste kabhi nahi rok sakti !*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 129,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–73_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Dalaa'il ke muqable me jab gaaliya'n layi ja rahi ho to hamesha esa hota hai k Dalaa'il to Apni jagah Jame rehte hai'n Lekin jo gaali muqable per layi jati hai wo Jazbaati had tak do chaar din kaam de kar bilkul be Asar ho jati hai aur insaani Fitrat isse nafoor hone lagti hai, Chunache Aan Hazrat ﷺ ke liye ek gaali aur waza ki gayi, Aapko "Ibne Abi Kabsha" kaha jata tha,*
*❀"_ Abi Kabsha ek maroof magar Badnaam Shakhsiyat thi, Ye Shakhs tamaam Arab ke Deeni Rujhanaat ke khilaaf "Sha'ara' Naami Sitaare ki paristish karta tha, Ibne Abi Kabsha ke ma'ani hue Abi Kabsha ka beta ya Abi Kabsha ka Peru ( Na'uzubillah), Dil ka bukhar nikalne ke liye Makka ke in Jazbaat ke Mareezo ne kya kya ijaade nahi ki !*
*❀"_ Kisi Sahibe Dawat ya kisi Naqeeb E Tehreek ki zaat per jab is tarah ke Waar kiye jate hai'n to Asal matloob us Shakhsiyat ko Kurb dena hi nahi hota balki dar Haqeeqat gaali di jati hai us Nazariya v Maslak ko aur us Kaam aur Tanzeem ko jiski Roz Afzu Yalgaar se Sabiqa pada hota hai, magar kya ek uthte hue Sailaab ke aage Gobar ke puahte baa'ndh kar usko roka ja sakta hai ?*
*❀"_ Mushrikeen Makka dekh rahe they k Wo gandgi ke jo jo band baa'ndhte hai'n unko ye Dawat bahaye le ja rahi hai aur har Subeh aur har Shaam kuchh na kuchh aage hi badhti jati hai, to unhone propogande ke doosre pehlu Akhtyar kiye, Ek naya laqab ye Tarasha k ye Shakhs (Na'uzubillah) dar Haqeeqat pagal ho gaya hai_,"*
*❀"_ Buto ki maar padne se iska Sar fir gaya hai, Ye jo baate karta hai wo Hosh v Hawaas aur Aqal v Hikmat ki baate nahi hai Balki ye ek junoon hai k Jiske Dore padne per kabhi use Farishte Nazar aate hai'n, Kabhi jannat aur Dozakh ke khwaab dikhayi dete hai'n, Kabhi Wahi utarti hai aur kabhi koi Anokhi baat munkashif ho jati hai, Ye ek Sarfira Aadmi hai, isliye iski Baato per Aam Logo'n ko dhyan nahi dena chahiye aur Apna Deen imaan bachana chahiye,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 129,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–74_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Hamesha se ye hua hai k Daa'iyane Haq ka Zore istadlaal todne ke liye ya to Unko pagal kaha gaya hai ya Safiha v Ahmak, Hoshmand to bas wohi log hote hai'n Jo Apni Duniya banane aur zamane ki Haa'n me Haa'n milane aur Apni khwahisho ka Samaane Taskeen karne me Munhamik rehe'n, Baqi wo log jo Tahdeed v islaah ki Muhim utha kar jaan jokhimo me daale, Unko Duniya Parast Agar Ahmak aur Pagal na kahe'n to Aakhir unki dictionary me aur konsa lafz mozu ho sakta hai,*
*❀"_ Mushrikeen Makka ne ek aur Tanz ghadi, Kehne lage k ye Mudda'i Nabuwat dar Haqeeqat Jaadu ke fun me bhi Samajh rakhta hai, Ye uska Fun Kamaal hai k do chaar baato me har milne wale per Apna jaadu kar deta hai, Nazar bandi ki haalat me mubtila kar deta hai aur Zara koi uski baato me aaya nahi k jaadu ke jaal me fa'nsa nahi, Yahi Vajah hai k Achchhe bhale Soojh boojh rakhne wale log uska Shikar hote chale ja rahe hai'n!*
*❀"_ Haa'n magar Ek Sawal ye bhi to paida hota tha k kabhi Ahmako, Pagalo aur Jadugaro ne bhi Aaj tak Mazhabi v Tamadduni Tehreeke chalayi hai'n aur Kabhi kaahino ne khuda Parasti aur Toheed aur Makaram Akhlaaq ka dars dene ke liye Jaadu ke fun ko istemal kiya hai ? Kabhi jaadu ke zor se dilo aur Dimaago Rooho'n aur Seerato ko bhi badalne ki koi misaal saamne aayi ?*
*❀"_ Lekin ye Sikka Band ilzaam hai esa k Har Daur me har Sahibe Dawat per lagaya gaya hai, Yaqeen dilane ki koshish ki gayi hai k khud Dawat me Sadaqat nahi k uski Fitri kashish kaam kare, Daa'i ke istadlaal me koi wazan nahi k jisse Quloob musakkhar ho rahe ho'n balki saara khail kisi pur israar qism ki Farebkaari aur Jaadugari per mubni hai aur ye uska Asar hai k bhale change log Tawazan kho bethte hai'n,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 131,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–75_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Log Akabire Quresh ke Saamne Aan Hazrat ﷺ ki ilhaami Taqreere aur Khususan Qur'an Ki Aayaat bhi to pesh karte ho'nge k Ye aur Ye baate kahi gayi hai'n, Kalam ke Johar Shanas Aakhir ye to mehsoos kar lete honge k khud ye Kalam mo'assir Taaqat hai, is per Bahas bhi hoti ho'ngi aur Raay bhi qaa'im hoti ho'ngi,*
*❀"_ is Kalam ke Aijaaz ki Tavajjo karne ke liye unhone kehna shuru kiya k - Aji kya hai, Bas Shayri hai, Alfaz ka ek Art hai, Adibana zor hai, Muhammad ﷺ Darja Awwal ke Artist aur Lisaan Khateeb hai'n, Unki Shayri ki vajah se Kachche Zahan Ke Nojawan bahak rahe hai'n,*
*❀"_ Ey Quresh Makka ! Shayar to Duniya me Hamesha hote rahe hai'n, Kya Koi esa Anokha Shayar kabhi paida hua hai Jo is bedaag Seerat aur Azeem Kirdaar ka Haamil ho Jiska muzahira Muhammad ﷺ aur unke Rafqa kar rahe they, Kya Shayri ke Tilasm baa'ndhne walo ne kabhi esi Deeni muhimaat bhi barpa ki hai'n Jesi Tumhare Saamne ho rahi thi ?*
*❀"_ Quresh ke Saamne bhi ye Sawal tha , iska jawab dene ke liye unhone Aan Hazrat ﷺ per Kahanat ka ek aur ilzaam baa'ndha, Kaahin log kuchh Mazhabi andaz v Atwaar rakhte they, Ek Ajeeb pur israari fiza banate they, Chillo aur Aitkaafo aur Wazeefo aur Mantaro me unki zindgi guzarti thi, Kaahin kehne se Quresh ka mudda'a Yahi tha k Aan Hazrat ﷺ ne bhi bas isi tarah ka ek Dhakosla bana rakha hai, Taki Log aaye'n, mureed bane, Un per Kahanat ka Sikka bhi chale aur pet ka masla bhi hal ho jaye ( Ma'azallah )*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 131,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–76_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Aur Qur'an is Saare Proegande ki Dhuwa Dhariyo'n ko Muheet ho kar Aasmani Bulandiyo se pukar kar keh raha tha k - "Ye kisi Shayar ka Qaul nahi hai, Tum log Kam hi imaan late ho, aur na kisi kahin ka Qaul hai, Tum log Kam hi gor karte ho _,"( Al- Haqqa -41)*
*❀"_ Dekho ye log Kese kese Muhawre aur Fiqre chust karte hai'n, kese kese naam dharte hai'n, Kya Kya Tashbeehe ghadte hai'n aur Kaha'n Kaha'n se istlaahe dhoo'ndh ke late hai'n, Magar ye sab kuchh kar ke fir Yakayak kesa palta khate Hai'n? (Al- Furqan - 9)*
*❀"_ Dekhiye ! Ab ek aur Shosha Tarasha jata hai, Deene Ibrahimi ke naam lewa farmate hai'n k ye koi Jin hai jo Muhammad (ﷺ) per aata hai aur wo aa kar Ajeeb Ajeeb baate batata hai Ya ye k Wo sikha padha jata hai, Kabhi Makka ke ek Roomi v Nasrani gulam ( Jaabir ye Jabra ya Jabr ) ka naam liya jata hai , Jo Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me Haazri ho kar Deen ki baate sunane k liye jata hai aur Tanahiyi me Muhammad ﷺ ko ye Wa'az aur Lecture note karta hai,*
*❀"_ Ek moqe per Quresh Ke Akaabir ke ek Wafad ne Aan Hazrat ﷺ se kaha k, Hume maloom hua hai k Yamama me koi Shakhs "Ar Rahman" Naami hai jo Tumhe ye sab kuchh sikhata padhata hai, Khuda ki qasam hum "Ar Rahman" per imaam nahi layenge _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 132,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–77_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_In Hawai Shosho se Ye Zaahir karna matloob tha k ye kisi Baahri Taaqat aur kisi gair Shakhs ki Shararat hai Jo hamare Mazhab aur Ma'ashre ko Tabaah karne ke darpe hai aur Muhammad ibne Abdullah to mahaz Aala kaar hai, Ye kisi tarah ki Saazish hai, Doosri taraf isme ye Tassur bhi Shamil tha k Kalam ka ye Husn v Jamaal na Muhammad ka kamaal hai na khuda ki ata v Bakhshish hai, Ye to koi aur hi Taaqat Gul khila rahi hai, Teesri taraf iske zariye Haq Ke Daa'i per ilzaam bhi chashpa kiya ja raha tha,*
*❀"_ Iske jawab me Qur'an ne Tafseeli istadlaal kiya hai, magar Uska Chellenge Qata'i Tor per maskat Saabit hua k insaano aur jinno ki mushtaraka madad se Tum is tarah ki koi Surat ya Esi Chand Aayate hi bana kar le aao _,"*
*❀"_ Aur Ek Daava ye bhi Saamne aaya k ye koi nayi baat nahi hai, Koi khaas karnama nahi hai, Asal me purane Qisse Kahaniya'n hai'n Jinko Kahi'n se jama kar ke zordaar zuban me dhaala ja raha hai, ye ek tarah ki Afsana Tarani hai aur Dastaan goi hai,*
*❀"_ Dawate Haq per "Asateer Awwaleen " ki phabti kasne me ye Tanz bhi Shamil tha k Agle Waqto ki in Kahaniyo'n ke zariye Aaj ke Masa'il ki Aqdah Qusha'i Kaha'n ho sakti hai, Zamana Kahi'n se Kaha'n aa chuka hai,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 132,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–78_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- Waaze rahe k ye Saari Muhim kisi galat fehmi ki vajah se nahi balki Sochi Samjhi hui Shararat ke tor per chalayi ja rahi thi, Unhone mil kar ye qaraar daad Tay ki thi k, "Daa'i ki Baat suno hi nahi, us per gor karo hi nahi, Kahi'n Khayalaat me Tazalzul na aa jaye, Kahi'n imaan kharab na ho jaye, Bas Haw Ho ka khoob shor macha kar usme rukhna andazi karo, Usme gadbad daalo aur use mazaq per dhal lo, is Tareeqe se Qur'an ka zor toot jayega aur Aakhir Fateh Tumhari hogi,*
*❀"_ Aas bin Waa'il ne Aan Hazrat ﷺ ki Dawat v Tehreek ki Tehqeer karte hue Zehreele kalmaat kahe, Taana diya gaya tha Aan Hazrat ﷺ ki Aulaad Narina na hone per aur Arab me Fil Waqe ye Taana kuchh ma'ani rakhta tha,*
.
*❀"_ Magar Aas jeso ki nigaahe ye nahi samajh sakti k Ambiya Jesi tareekh Saaz Hastiyo'n ki Asal Aulaad unke Azeemus Shan Kaarname hote hai'n, Unke dimago se naye Tehzeeb ke Daur janam lete Hai'n aur unki Dawat v Taleem ki Virasat Sambhalne aur unki Yaad Taza rakhne ke liye unke Rafqa aur perukaar Giroh dar Giroh mojood hote hai'n, Wo jis Khair kaseer ko le ke aate hai'n uski Taaqat aur uski qadar v Qeemat kisi ki Narina Aulaad ke bade se bade Shukr se Kahi'n zyada hoti hai,*
*❀"_ Chunache is Taane ke jawab me Surah Kausar Naazil hui jisme Aas aur uske Hum Kesho ko bataya gaya k humne Apne Nabi ﷺ ko "Kausar" ata kiya hai use Khair Kaseer ka Sar Chashma banaya hai, Use Qur'an ki Ni'amat Azmi di hai, Us per imaan lane walo aur ita'at karne walo, Uske kaam ko failane aur jaari rakhne walo ki ek badi Jama'at hai aur uske liye Aalame Aakhirat me Hauze Kausar ka Tohfa Makhsoos kar rakha hai,*
*❀"_ Jisse ek baar agar kisi ko Azan nosh mil gaya to wo Abd tak pyaas na Mehsoos karega, Fir farmaya k Ey Nabi ﷺ Abtar to hai'n Tumhare Dushman k Jinka ba Aitbaar Haqeeqat koi naam lewa aur pani dewa nahi hai aur Jinke mar jane ke baad koi bhool ke yaad bhi na karega k fala kon tha aur jinke liye Tareekhe insaani ke makan me koi jagah nahi,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 133,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–79_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥ Jo log Aankho dekhte ek Amr Haq ko nahi maanna chahte wo Apne aur Daa'i ke Darmiyan tarah tarah ke nukte aur lateefe aur baato me se baate nikaal nikaal kar late hai'n, Aslaaf ki Sikka Band Mazhabiyat ke ye mukhalifeen Aan Hazrat ﷺ se ek to baar baar ye puchhte they k Tum Agar Nabi ho to Aakhir kyu nahi esa hota k Tumhare Nabi hone ki koi Waaze Nishani tumhare Saath ho, koi esa mojaza ho jise dekhne Walo ke liye Nabuwat maane bager chara hi na rahe,*
*❀"_ Kyu na Farishte hamare paas bheje jaye'n, ? Ya fir hum Apne Rab Ko dekhe'n _," ( Al Furqan -20) Sidhi tarah Aasman se Farishto ke jhund utre, Hamare Saamne Chalte Firte dikhayi de'n aur Khuda Tumhare Zariye Paigaam bhej kar Apne Aapko manwane ke bajaye khud hi kyu na hamare Saamne aa jaye aur hum dekh le'n k ye hai hamara Rab, Jhagda khatm ho jaye,*
*❀"_ Fir wo ye kehte k Jo kuchh tum pesh kar rahe ho ye Agar Waqa'i khuda ki taraf se hota to chahiye ye tha k Ek likhi hui Kitaab hamare dekhte dekhte Aasman se utarti balki Tum khud Seedhi ke zariye kitaab liye hue utarte aur hum Sare Tasleem kham kar dete k tum Sachche ho,*
*❀"_ isi Silsile me ek Sawal ye bhi uthaya jata tha k Qur'an Khutba ba Khutba aur Qata ba Qata kyu Naazil hota hai, Sidhi tarah ek hi baar me poori ki poori kitaab kyu nahi Naazil ho jati ?*
*❀"_ Dar Asal unhe ye Soorat badi khalti thi k Jitne Sawal wo uthate they, Jo Jo Shararate karte they, Jis Jis pehlu se meen mekh nikalte they us per Wahi ke Zariye Hasbe moqa Tabsira hota uska Tajurba kiya jata aur poore Zore istadlaal se unki mukhalifana Kawisho ki jade khod di jati _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 134,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–80_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Fir wo ye Fabti kaste k tum jo gosht post ke bane hue hamari tarah ke Aadmi ho, Tumhe bhook lagti hai, Ma'ash ke dar pe ho, Roti khate ho, Galiyo'n aur Bazaaro me chalte firte ho, Fate haal rehte ho, Tumhare ouper tarah tarah ki Zyadtiya ho rahi hai'n, Kese ye baat Aqal me aaye k tum Allah ke pyare aur uske Aitmaad ke qabil numa'inde aur Duniya ki islah ke Zimmedar bana kar bheje gaye ho,*
*❀"_ Tum Waqa'i agar ese chuninda Rozgaar hote to farishte tumhare aage aage hato bacho ki sada lagate Bodyguard ban kar saath chalte jo koi gustakhi karta lath se uska sar fod dete, Tumhari ye Shaan aur ye thaat dekh kar har aadmi be Chu chara maan leta k Allah ka pyara hai aur Nabi hai, itna hi nahi tumhare liye Aasmaan se khazana utarta aur us khazane ke bal per tum Shahana Shaan v Shokat ke saath Aish ki zindgi guzaar rahe hote, Tumhare basne ke liye sone ka ek Mahal hota, Tumhare liye koi chashma jaari hota koi nahar bahayi jati, Tumhare paas phalo ka koi aala darje ka baag hota, Araam se bethe uski kamayi khate, is Naqshe ke saath tum Nabuwat ka Daava le ke uthte to hum sab ba Saro chashm maante k Waqa'i ye koi muntakhab zamana aur maqbool Rabbani hasti hai,*
*❀"_ Bar Khilaaf iske Haal ye hai k Hum log kya maal ke Lihaaz se kya Aulaad ke Lihaaz se Tumse manzilo aage hai'n, aur Tumhara Haal jo kuchh hai wo Saamne hai, Ek tum hi nahi, Tumhare ird gird jo Hastiya'n jama hui hai'n wo sab ese log hai'n Jo hamari Society ke sabse nichle Tabqe se Talluq rakhte Hai'n, Kotahe nazar aur kam ilm hai'n, Tum Logo'n ko hamare muqable me koi bhi Fazilat haasil nahi,*
*❀"_ Batao Ey Muhammad! K esi Soorat me koi maqool Aadmi kese Tumhe Nabi maan le, Chunache haal ye tha k jidhar se Nabi ﷺ ka guzar hota, Fabtiya'n Kasi jati, Ungliya'n utha utha kar aur ishare kar kar ke kehte k Zara dekhna in Sahab ko ye hai'n Jinko Allah ne Rasool muqarrar farmaya hai, Khuda ko kisi Aadam zaad se Risalat ka kaam Lena hi tha to kya le de ke yahi Shakhs reh gaya tha, kya Husne intikhab hai, isi tarah islami Tehreek ke Alambardaaro per ba haisiyat majmui ye fikra chust kiya jata tha k - ( Tarjuma Surah Al An'aam -53) Kya yahi hai'n wo mumtaz Hastiya'n jinhe Allah ne muratib khaas se nawazne ke liye hamare andar se chhaa'nt liya hai _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 136,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–81_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥-- Fir Kaha jata k Ey Muhammad (ﷺ) wo Jis Azaab Ki Roz Roz tum dhamkiya'n dete ho aur jiske Zariye Apna Asar jamana chahte ho, Use le kyu nahi aate ? Use Aakhir kis cheez ne rok rakha hai? Chellenge Kar ke kehte - "Kyu nahi Tum Aasmaan ka koi tukda girate hum jese Nafarman kaafiro per ? Agar Tum sachche ho hamara khatma kar daalo _," ( Surah Ash Shu'ara -187)*
*❀"_ Fir Ye Deene Aslaaf Ke Thekedaar Ye Nukta chhaa'ntte k Ey Muhammad (ﷺ) ! Jab Tum batate ho k Khuda Qadir v Sahibe Akhtyar aur Qahir v Jaabir hai to kyu nahi wo humko Apni Taaqat ke Zor se us Hidayat Ke Raaste per chalata k Jis per chalne ke liye tum hume kehte ho, Wo Hume Mohid aur Nek dekhna chahta hai to fir hume Mohid bana de aur neki per chala de, usko kisne rok rakha hai,*
*❀"_ isi tarah wo Qayamat ka Mazaaq Udate, bade daramayi andaz me dariyaft karte k Zara ye to farmaiye k ye Haadsa kab waaqe hone wala hai ? Kuchh ata pata dijiye k us elaan ko kab poora hona hai ? Qayamat kab tak Aa pahu'nchne wali hai ? Kya koi Tareekh aur koi ghadi mu'een nahi hui ? un Chand Misaalo se jinki Tafseel Qur'an v Hadees aur Seerat v Tareekh ki Kitaabo me milti hai, Andaza kijiye k Duniya ke Sabse bade Mohsin aur Insaniyat ke Azeem Tareen khair Khwah ko kesi Fiza se Saabqa aa pada tha,*
*❀"_Aalame Baala Ki Taraf se Yaqeen dahahi ki jati hai, Allah Ta'ala Apne Kalmaat se khud Samaane Taskeen farmata hai aur Saath Saath is Marhale se guzarne ke liye baar baar hidayaat di jati hai'n, Maslan ek Jaama Hidayat ye aayi k "_ Ey Nabi ﷺ Narmi v Darguzar ka Tareeqa Akhtyar karo, Ma'roof ki Talkeen kiye jao aur Jaahilo se na uljho _," ( Surah Al A'araaf -144)*
*❀"_ Yani Asaab ko jhanjhod dene wale aur Dil v Jigar ko chhed daalne wale is daur ke liye Aan Hazrat ﷺ ko Teen Taqazo ka paband kar diya gaya, Ek ye k Bad Zubaniyo se beniyazi ka Tareeqa Akhtyar kiya jaye, Doosre ye k Haq baar kehne ki zimmedari har haal me poori ki jayegi, Teesre ye k Kamine aur Bad Akhlaq aur Jahalat zada Shakhso ke pichhe padne ki zarurat nahi ! Aur Qur'an aur Tareekh dono gawah hai'n k Aan Hazrat ﷺ ne in Hidayaat ki Hudood se baal barabar Tajawuz kiye bager ye poora Daur guzaar diya,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 137,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–82_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Kabhi kabhi Quresh ko Soch Bichaar se koi Aqali qism ki daleel bhi haath aa jati thi, Ek baat wo ye kehte they k Hum kab Buto ko khudawand Ta'ala ke muqam per rakhte Hai'n, Hum to sirf ye kehte hai'n k ye Jin Buzurgo ki Arwaah ke mazhar hai'n Wo Allah ke darbaar me hamare liye Shifarish karne wale hai'n aur in Buto ke aage Sajda v Qurbani kar ke hum Sirf Allah ke Huzoor Taqarrub Haasil karna Chahte hai'n,*
*❀_"_ Isi Tarah Ek Baat Wo ye kehte they k Hamare Nazdeek zindgi Sirf isi Duniya ki Zindgi hai, koi aur Aalam pesh aane wala nahi hai aur na hume dobara zinda kiya jane wala hai, Fir Aakhir hum Ek ese Deen ko kyukar Tasleem kare jo kisi doosri Duniya ka Tasavvur dila kar is Duniya ke Mufaad aur iski Dilchaspiyo se hume Mehroom karna chahta hai,*
*❀_"_ isi tarah Ek Baat wo ye kehte they k Agar Hum Dawate Muhammad ( ﷺ) ko maan le'n aur Mojooda Mazhabi v Ma'ashrati Nizaam ko toot jane de'n aur Apne qaa'im shuda Tasallut ko utha le'n to fir to humme se ek ek Shakhs ko Din Dahade chun chun kar uchak liya jayega, "_Wo kehte hai'n Agar hum tumhare Saath is Hidayat ki pervi Akhtyar kar le'n to Apni zameen se uchak liye jayenge _," ( Surah Al Qasas - 57)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 138,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–83_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥ -Gaalam Galoj Ki ye Muhim Quresh ke Junoon v Mukhalfat ke tez hone ke saath Gundagardi ka Rang Akhtyar Karti chali ja rahi thi, Manfi Shararat ke Alambardaar jab Ruswayi aur Gaali Galoj ko Nakaam hote dekhte hai'n to fir Unka Agla Qadam Hamesha Gunda gardi hota hai, Makka walo ne Aan Hazrat ﷺ ko Takleef dene ke liye Wo Kameeni Harkate ki hai'n k Sahibe Risalat ﷺ ke alawa koi aur Daa'i hota to badi se badi Ulul Azmi ke Bavjood uski Himmat toot jati aur wo Qaum se Mayoos ho kar beth jata,*
*❀"_ Lekin Rasoole khuda ﷺ ki Sharafat aur Sanjidgi Gunda gardi ke chade hue dariya me se bhi Paak Daaman Ka'nwal ki tarah Sahi Salamat liye aage hi aage badhti ja rahi thi, Wo harkaat jo Roz marra ka Mamool ban gayi'n, Ye thi k Aapke Mohalle daar jo bade bade Sardaar they bade Ahatmam se Aapke Raaste me Kaa'nte bichhate they, Namaz padhte waqt Shor machate aur Hansi udate, Sajde ki Haalat me Ojhdiya'n la kar daalte, Chaadar ko lapet kar gala gho'nt te, Mohalle ke Ladko ko pichhe laga dete k Taaliya'n Peete aur Shor kare, Qur'an padhne ki haalat me Aapko Qur'an ko aur khuda Ta'ala ko gaaliya'n dete,*
*❀"_ Is maamle me Abu Lahab ke Saath Saath Uski Bivi bahut pesh pesh thi, Wo Bila Naaga Ka'i saal tak Aapke Raaste me galazat aur kooda karkat aur Kaa'nte jama kar kar ke daala karti thi aur Aan Hazrat ﷺ Rozana badi Mehnat se Raasta Saaf karte, Aapko us Kambakht ne is darja pareshan rakha k Allah Ta'ala ne Aapki Taskeen ke liye ye Khush Khabri sunayi k Mukhalif Muhaaz ki is leader ke Shohar Namuraad ke izaa rasa'n haath toot jane wale hai'n aur khud ye Begam Sahiba bhi Dozakh ke hawale hone wali hai,*
*❀"_ Ek martaba Haram me Aan Hazrat ﷺ Namaz me masroof they k Uqba bin Abi Muheet ne Chaadar Aapke gale me daali aur use khoob marod kar gala gho'nta, Yaha'n tak k Aap ghutno ke bal gir pade, isi Shakhs ne ek martaba Namaz ki haalat me Aap per ojhdi bhi daali thi,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 139,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–84_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Ek Martaba Aap ﷺ Raaste Chalte ja rahe they k kisi Shaqi ne Sar per mitti daal di, Isi haalat me Aap ﷺ Sabr v isteqamat ke saath chup chaap ghar pahu'nche, Masoom Bachchi Fatima Raziyallahu Anha ne dekha to Aapka Sar dhoti jati thi'n aur Saath Saath maare gam ke roti jati thi'n, Aapne us nanhi si Jaan ko Tasalli di k Beti ! Ro'o nahi khuda tere Baap ko bachayega _,"*
*"❀_ Ek aur martaba Aap ﷺ Haram ne Namaz me Masroof they k Abu jahal aur Chand aur Quresh ko Tavajjo hui, Abu Jahal kehne laga - Kaash is waqt koi jata aur Ou'nt ki oajh Najasat Samet utha lata taki jab Muhammad (ﷺ) Sajde me jata to uski gardan per daal deta, Uqba ne kaha k ye khidmat Anjaam dene ke liye Banda Haazir hai, Oajh layi gayi aur Aap ﷺ ke ouper Sajde ki haalat me daal di gayi,*
*"❀_ Quresh Thathe maar kar Ha'nsi uda rahe they, Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ko ittela hui to Aap daudi aayi'n aur Paak baaz Baap ki masoom Bachchi ne wo Saara Baare galazat Aapke ouper se hataya Saath Saath Uqba ko Bad Duae'n bhi deti thi'n,*
*"❀_ Kaa'nte bichha kar chaha gaya k Tehreek Haq ka Raasta ruk jaye, Gandgi Fai'nk kar koshish ki gayi k Toheed aur Husne Akhlaaq ke Paigaam ki Pakeezgi ko khatm kar diya jaye, Aan Hazrat ﷺ ko bojh tale daba kar ye Tawaqqo ki gayi k bas ab Sachcha'i Sar na utha Sakegi, Aapka gala gho'nt kar ye khayal kiya gaya k bas ab Wahi ilaahi ki Awaaz band ho jayegi,*
*❀"_ Kaa'nto se jiski Tawazo ki gayi wo barabar fool barsata raha, Gandgi Jiske ouper uchhali gayi wo Ma'ashre per musalsal mushk v Ambar chhidakta raha, Jis per bojh daale gaye wo insaniyat ke kandhe se Baatil ke bojh mutawatar utaarta raha, Jiski gardan gho'nti gayi Wo Tehzeeb ki gardan ko Rasmiyaat ke Fando se Nijaat dilane me masroof raha, Gunda gardi Ek Sanha ke liye bhi Sharafat ka Raasta na rok saki,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 140,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–85_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Himayatiyo Ko Todne Ki Koshish:-*
*❀"_ Dawate Haq ke Mukhalifeen jab Pani Sar se guzarta dekhte hai'n to ek Muhim ye Shuru Karte Hai'n k Tehreek Ya Uske qaa'id aur Alambardaaro ko Society me har qism ki Mo'assir Himayat v Hamdardi se mehroom Kara diya jaye, Barahe Raast Asar na daala ja sake to bil waasta Tareeqe se dabaav daal kar Tabdeeli ke Sipahiyo ko bebas kar diya jaye,*
*❀"_ Idhar Daa'i Haq Aan Hazrat ﷺ Apne Chacha Abu Taalib ki Sarparasti me they aur ye Sarparasti jab Tak qaa'im thi Goya poore Haashmi Qabile ki Asbiyat Aan Hazrat ﷺ ke Saath thi, Mukhalifeen ne Ab poora zor is baat per sarf kar diya k kisi tarah Abu Taalib per dabaav daal kar Aan Hazrat ﷺ ko unki Sarparasti se Mehroom kar diya jaye,*
*❀"_ Dabaav daalne ka ye Silsila der tak jaari raha, Magar Mukhalifeen ko har baar nakaami hui, Ek Roz Quresh ka Wafad Aan Hazrat ﷺ ke Chacha ke paas Pahu'nchta hai, Ye Log Apna mudd'a Yu'n bayan karte hai'n:-*
*"_ Ey Abu Taalib! Tera Bhatija hamare khudawando aur Thakuro ko gaaliya'n deta hai, Hamare Mazhab me Aib chhaa'ntta hai, Hamare Buzurgo ko Ahmak kehta hai aur Hamare Aslaaf ko Gumrah Shumar karta hai, Ab ya to tum usko hamare khilaaf esi Zyadtiya karne se roko ya hamare aur uske Darmiyan se tum nikal jao, Kyu'nki Tum bhi ( Aqeeda v Maslak ke Lihaaz se ) hamari tarah uske khilaaf ho, uski jagah hum tumhare liye kaafi ho'nge _,"*
*❀"_ Abu Taalib ne saari Guftgu thande Dil se suni aur Narmi se Samjha bujha kar maamla taal diya aur Wafad ko rukhsat kar diya, Aan Hazrat ﷺ Ba Dastoor Apne Mission ki khidmat lage rahe aur Quresh pech v taab khate rahe,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 141,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–86_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Mukhalifeen fir aate hai'n - "Ey Abu Taalib! Tum hamare Darmiyan Umr Sharf aur Qadro Qeemat ke Lihaaz se ek bada darja rakhte ho, Humne mutalba kiya tha k Apne Bhatije se hume bachaav lekin tumne ye nahi kiya, aur Khuda ki qasam jis tarah hamare Baap Daada ko gaaliya'n di ja rahi hai'n, Jis tarah hamare Buzurgo ko Ahmaq qaraar diya ja raha hai aur Jis tarah hamare Ma'aboodo per harf giri ki ja rahi hai, use hum bardasht nahi kar sakte, ila Ye k Tum use baaz rakho ya fir hum usse bhi aur tumse bhi ladenge, Yaha'n tak k Ek Fareeq ka khaatma ho jaye,*
*❀"_ Abu Taalib ne Aan Hazrat ﷺ ko bulaya aur Saara maajra bayan kiya, fir lajajat se kaha k Bhatije! Mujh per esa bojh na dalo jiska uthana mere bas se bahar ho_,"*
*❀"_ Ab esi Soorat aa gayi thi k Paa'nv jamane ke liye Sahare ka jo ek patthar haasil tha wo bhi mutzalzal hua jata tha, Ba Zaahir Tehreek ke liye intehayi khatarnak lamha aa gaya tha, Lekin doosri taraf dekhiye us Jazba Sadiqa aur us Azmiyat mujahidana ko k Jisse Sarshaar ho kar Aan Hazrat ﷺ ye jawab dete hai'n:- Chacha jaan ! Khuda ki qasam, Ye log Agar mere Daa'nye haath per Suraj aur Baa'nye haath per Chaand rakh kar chahe'n k is mission ko chhod du'n to Mai'n isse baaz nahi aa sakta, Yaha'n tak k Ya to Allah Ta'ala is mission ko Gaalib kar de ya Mai'n isi Jaddo jahad me khatm ho jaau'n _,"*
*❀"_ Yaha'n Wo Asli Taaqat bol rahi hai Jo Tareekh ko ulat palat ke rakh deti hai aur Mazahmato aur Shararato ko kuchalti hui Apne Nasbul Ain tak ja pahu'nchti hai, Afsos k Quresh isi Taaqat ka raaz na pa sake, Abu Taalib isi Taaqat ki Sahar Aafreeni se mutassir ho kar kehte hai'n k, Bhatije! Jao jo kuchh tumhe pasand hai uski Dawat do Mai'n kisi cheez ki vajah se Tumko nahi chhodunga _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 143,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–87_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥ _Ek aur Wafad Amarah bin Waleed ko saath le kar fir aaya, Ab ke ye log ek aur hi mansube ke saath aate hai'n, Abu Taalib se kehte hai'n k dekhiye ye Amarah bin Waleed hai Jo Quresh me se ek Mazboot aur khoobsurat Tareen jawan hai, ise le lijiye, iski Aqal aur iski Taaqat Aapke kaam aayegi, ise Apna beta bana lijiye aur iske Evaz me Muhammad (ﷺ) ko hamare hawale kar dijiye, Jisne k Aapke aur Aapke Aabao Ajdad ke Deen ki Mukhalfat shuru kar rakhi hai aur Aapki Qaum ka Shiraza darham barham kar diya hai, aur unke Buzurgo ko Ahmak thehraya hai, use hum qatl kar dena chahte hai'n, Sidha Sidha ek Aadmi ke badle me hum ek Aadmi Aapko dete hai'n,*
*"❀_ Wafad ki Guftgu sun kar Yaqinan Abu Taalib ke jazbaat per badi chot lagi aur kaha k tum log ye chahte ho k Tumhare Bete Ko to Mai'n le kar palu posu aur mere Bete ko tum le ja kar Talwaar ke niche se guzaar do, Abd tak esa nahi ho sakta,*
*❀"_ Maamla bad gaya, Kashmkash ki fiza garam ho gayi aur khud Wafad ittefaqe raay ka Rishta toot gaya, Ab Quresh ne Aan Hazrat ﷺ ke Raqfqa per Sakhtiya'n karne ke liye un Tamaam Qabilo ko uksana shuru kiya jinme Tehreeke islami ka koi fard paya jata tha, Zulm dhaye jane lage, islam se hatane ke liye Zulm v Zor se kaam liya jane laga,*
*❀"_ Lekin Allah ne Apne Rasool ko Abu Taalib ki aad khadi kar ke bacha rakha tha, Abu Taalib ne Quresh ke bigde Tever dekh kar Banu Haashim aur Banu Muttalib ke Saamne Aan Hazrat ﷺ ki Hifazat ke liye Apeal ki, Log jama hue aur Aap ﷺ Ki Himayat ke liye Tayyar ho gaye, magar Abu Lahab ne Sakht Mukhalfat ki aur baat Tay na ho saki,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 144,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–88_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- Aage chal kar jab Tehreek Haq ne Mukhalifeen ki safo me se Hamza aur Umar Raziyallahu Anhum jesi do Hastiya'n chun Li to pech v taab ki nayi lehar uthi, Mehsoos kiya gaya k Muhammad ﷺ ki chalayi hui Hawa to Ab ghar ghar me Mahak rahi hai, kuchh karna chahiye, Abu Taalib ki Bimaari ki haalat me ye log fir pahu'nche, Ab ki Sceem ye thi k Muahida ( samjhota) ho jaye, Wafad ne kaha k Jo kuchh Soorare haal hai use Aap jaante hai'n, Apne Bhatije ko bulwaiye, Uske bare me humse Ahad lijiye aur hamare bare me uska Ahad dilwaiye, Wo humse baaz rahe hum usse baaz rahe, Wo humse aur hamare Mazhab se waasta na rakhe, hum usse aur uske mazhab se waasta nahi rakhte Hai'n,*
*"❀_ Rasoole Paak ﷺ bulwaye jate hai'n, Baat hoti hai aur Aap saara mutalba sunne ke baad jawab dete hai'n, Ey Ashrafe Quresh ! Mere is ek Kalme Ko maan lo to fir Arab v Ajam Sab Tumhare Zere Nagi'n ho'nge,*
*"❀_ Abu Jahal ne tang aa kar kaha - Haa'n! Tere Baap ki Qasam ! Ek kyu das kalme chalenge _," koi doosra bola- Ye Shakhs to khuda ki qasam tumhari marzi ki koi baat maanne ko Tayyar nahi, iske baad ye log mayoos ho kar chale gaye,*
*❀"_ Lekin us Wafad ki Guftgu ne Chand Haqeeqato ko numaya kar diya, Ek ye k Ab Tehreeke islami ko wo ek esi Taaqat maanne per majboor ho gaye they jisko Ukhedne ki koshish karne se zyada behtar Samjhote ki koi raah nikaalna tha, Doosre ye k Quresh Saari Shararato aur Zyadtiyo ko Aazmane ke baad ab apni bebasi ko mehsoos kar rahe they,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 144,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–89_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Insaane Aazam ﷺ Aulaade Aadam ki jis Sabse badi khidmat me masroof they usko nakaam banane ke liye Mukhalifeen Jin mukhtalif Tadbeero se kaam le rahe they un sabke Bavjood Dawat ka kaam jaari tha aur Kalma Haq Ko'npale nikaal raha tha,*
*❀"_ Makka Markaze Arab tha aur Har Taraf se Qafile aate jate they aur Daa'i Haq ke liye kaam ka nit naya maidaan Faraham karte, Sardarane Makka ki jo Dho'ns khud Makka ke basindo per chalti thi wo bahar se aane walo per nahi chal sakti thi, Tashveeshnaak moqa is pehlu ke Lihaaz se Hajj ka tha, Qabail Arab Zoq dar Zoq ma'a Apne Sardaaro ke Makka me ikatthe hote aur Nabi Akram ﷺ apna Paigaam failane ke liye khima ba khaima gardish me masroof ho jate,*
*❀_Chuna'che ek Saal mosame Hajj ki Aamad thi k Waleed bin Mugira ke Yaha'n Quresh jama hue aur Sar jod kar soch vichar me masroof ho gaye, Jhoote propogande ke liye Saazish ki jati hai, Dil Jis baat ko nahi maante usi ko le kar mukhalifana hungama jaari rakhne ki Sceem banti hai, Chuna'che is Majlis me Tay ho gaya k Mukhalif partiya'n Makka ko aane wale Raasto per chokiya'n laga de'n, aur aane wale har Wafad ko Muhammad ( ﷺ) aur Aapki Dawat ke bare me chokanna kar de'n,*
*❀"_ Chunache is mansoobe per Amal kiya gaya, lekin Natija ulta hua, Aan Hazrat ﷺ ka charcha Arab ke kone kone tak fail gaya aur jinko kuchh nahi maloom tha unko bhi maloom ho gaya k Ek nayi Dawat esi uthi hai aur uski Alambardaar Shakhsiyat Muhammad ﷺ ki hai _,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 147,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–90_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- Rabi'a bin Ubada ka bayan hai k Mai'n Mina me Apne Baap ke Saath mojood tha jab Mai'n ek Nokhaiz ladka tha aur dekha k Rasulullah ﷺ Arbi Qabilo ki Aqamat gaaho me ja ja kar rukte aur farmate - "Ey Bani fala'n! Mai'n tumhari Taraf Allah ka Rasool hu'n, Tumse kehta hu'n k Allah ki ibaadat karo, aur uske saath kisi ko Shareek na karo aur uske Alawa un buto me se jiski bhi ibaadat kar rahe ho usse alag ho jao aur mujh per imaan lao, meri Tasdeeq karo aur meri himayat karo Yaha'n tak k Mai'n Allah ki taraf se saari baat khol kar rakh du'n Jiske Saath usne mujhe mamoor kiya hai _,"*
*❀"_ Ek Shakhs Adni Chaadar odhe Aan Hazrat ﷺ ke Saath Saath laga tha, Jab Rasulullah ﷺ Apni baat farma chuke to ye Shakhs Apni Haa'nkna shuru kar deta k, Ey Bani fala'n! Ye Shakhs tumko laat v Uzza se hata kar Bid'at v gumrahi ki taraf kheench le jana chahta hai, pas na iski suno na iski baat maano_,*
*"_ Wo Nojawan ye manzar dekh kar Apne baap se puchhta hai k kon hai jo Aan Hazrat ﷺ ke pichhe laga hua hai aur Aapki baat ki Tardeed kar raha hai, Jawab milta hai k ye Aapka Apna hi Chacha Abu Lahab hai,*
*❀_Nabi Kareem ﷺ Hajj ki tarah Melo ke ijtimaat me bhi Tashreef le jate they, Taki insaani ijtima se fayda uthaye'n, Ek martaba Bazaar Zuljaaz me pahu'nche aur Logo'n ko haq ka paigam suna kar kalma tayyaba ki dawat di, Abu Jahal Saath laga tha, Kambakht ko Bugz v Keena ne itna past kar diya tha k Mitti utha utha kar Aap per Fai'nkta aur saath saath pukarta k Logo'n iske qareeb me na aana, ye chahta hai k Laat v Uzza ki paristish chhod do,*
*❀"_ Mukhalifana Propoganda Ki is Toofani Muhim se Abu Taalib ko Tashveesh bhi laahiq hui k Kahi'n Arab ke Awaam ijtimayi Mukhalfat per na utar aaye'n, Unhone ek Taveel Qasida likh kar Kaaba me latka diya jisme ek taraf ye Safayi di k Maine Dawat e Muhammad ﷺ ko qubool nahi kiya, Lekin doosri taraf ye elaan bhi kiya k kisi Qeemat per Muhammad ko nahi chhod sakta aur uske liye Apni jaan tak de dunga,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 148,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–91_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- Jab Kabhi koi Aham Shakhsiyat Makka me Waarid hoti to Tehreeke islami ke Mukhalifeen usko Rasulullah ﷺ ke asar se bachane ke liye poora jatan karte, magar basa Awqaat Asar ulta hota, is qism ke Chand khaas Waqiaat ka Tazkira zaruri maloom hota hai,*
*❀"_ Tufel bin Amru Dosi ek Shareef Mard aur Labeeb Shayar tha, Ek Martaba wo Aaya, Baaz Quresh ke afraad uske paas pahu'nche, kehne lage k Tufel ! Dekho tum hamare Shehar me aaye ho aur Yaha'n Muhammad (ﷺ) ki sargarmiya'n hamare liye na-qabile bardasht bani hui hai'n, Us Shakhs ne hamari Wehdat ka Shiraza bikher diya hai aur hamare Mufaad ko tukde tukde kar diya hai, Uski baate Jadugaro jesi hai'n, aur Ye Bete aur Baap me Bhai aur Bhai me Shohar aur Bivi me judayi dalwa raha hai, Hume tumhe aur Tumhari Qaum ke bare me Andesha hai k tum Kahi'n Uske Shikaar na ho jao, pas behtar ye hai k us Shakhs se na to baat karna aur na uski koi baat sunna,*
*❀"_ Tufel bin Amru Dosi Raziyallahu Anhu ka Apna bayan hai k un Logo'n ne us waqt Tak pichha na chhoda jab tak k Mai'n poori tarah qaa'il na ho gaya k na baat karunga na Sununga, Chuna'che jab Mai'n Masjide Haraam ki taraf jata to kaano me Roo'i thoo'ns leta,*
*❀"_ Ek martaba Rasulullah ﷺ Kaaba ke paas ibaadat me khade they to Mai'n bhi qareeb ja kar khada hua, Maine bahut hi khoob Kalam suna, fir Dil me Maine kaha k meri Maa'n mujhe roye, khuda ki qasam Mai'n ek Sahibe Aqal Aadmi hu'n, Shayar hu'n, Bure Bhale ki pehchan kar sakta hu'n, fir kya cheez mujhe un baato ko sunne se rok sakti hai jinhe ye kehta hai, Jo Paigaam ye laya hai wo Agar bhala hoga to Mai'n qubool kar lunga, Agar bura hoga to chhod dunga_,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 149,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–92_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- isi Soch Bichaar me kuchh waqt guzar gaya, Ab Huzoor ﷺ ghar ko chale, Tufel Raziyallahu Anhu bhi saath ho gaye, Raaste me saara qissa Sunaya k Mujhe Quresh ne kis Chakkar me daal rakha hai, Fir makaan per pahu'nch kar Darkhwast ki k Apna Paigaam irshad farmaiye,*
*"❀_ Rasulullah ﷺ ne islam ki Haqeeqat bayan ki aur Qur'an padh kar sunaya, Tufel Raziyallahu Anhu kehte Hai'n k "khuda ki qasam! Na isse badh kar Achchha kalaam maine kabhi suna na isse badh kar Sachcha Paigaam,*
*"❀_ Aur fir wo batate hai'n k Mai'n islam le aaya aur Haq ki gawahi di, in Tufel Dosi Raziyallahu Anhu ne Apne Qabile me ja kar pur josh Tareeqe se dawat ka kaam kiya aur poora Qabila mutassir hua, inke Tableegi Josh ka ye Aalam tha k ghar pahu'nch kar Jo'nhi Zaieful Umr waalid se Mulaqaat hui, kehne lage k na Aap mere na Mai'n Aapka ! Unhone puchha _ Bete ye Kyu'n ? Jawab diya k Ab Maine Muhammad ﷺ ka Deen Qubool kar liya hai aur Aapki pervi kar li hai, Waalid ne kaha k Bete! Jo tera Deen hai wohi Mera bhi hoga, foran naha kar islam Qubool kiya,*
*"❀_ Tufel Raziyallahu Anhu ne isi tarah Apni Bivi ko Dawat di aur usne bhi Labbek ki, Fir Qabile me Dawat E Aam ka silsila shuru kiya, baad me Aan Hazrat ﷺ rudaad bayan ki aur Apne Qabile ki kharabiya'n bayan kar ke Dua E Azaab ki Darkhwast ki, Magar Huzoor ﷺ ne Hidayat ki Dua ki aur Tufel Raziyallahu Anhu ko Takeed ki k Waapas ja kar Apne Logo'n me Dawat jaari rakho aur khaas Nasihat ki k unke Saath Narmi Barto,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 150,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–93_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥-- A'asha bin Qais bhi ek Mumtaz Shayar tha, Usne Rasulallah ﷺ ka Charcha suna aur is iraade se Makka ka rukh kiya k Ja kar islam Qubool kare, Usne Aan Hazrat ﷺ ki Shan me Qasida bhi kaha tha, Ab Jo'nhi ye Makka ki Hudood me pahu'ncha Ek Quresh Mushrik ne aa ghera aur unke Maqsad ke bare me khoj kured ki,*
*"❀_ Usne bataya k Mai'n Rasulullah ﷺ ki khidmat me ja kar islam Qubool karna chahta hu'n, is per baat chal padi, Mushrik hila Taraaz ne A'asha ki dukhti rago ko tatolne ke liye kaha k dekho Muhammad (ﷺ) to Zina ko Haraam thehrata hai, Ye Waar oachha pada to fir kaha k wo to Sharab se bhi rokta hai, Yaha'n tak k baato baato me A'asha ke iraade ko Kamzor kar diya,*
*❀"_ Chunache usne ye manwa liya k is martaba to tum Waapas chale jao aur Agle Baras aa kar islam Qubool kar lena, A'asha Waapas chala gaya aur isse pehle k wo Makka lautta Bad Naseeb ki maut waaqe ho gayi_,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 151,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–94_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥ _Sabse zyada Dilchasp Waqi'a Mard Arashi Ka hai, Ye Makka me aaya Saath Ou'nt tha Jiska Sauda Abu Jahal ne chuka liya, Magar Qeemat ki Adaygi me taal Matol kiya, Ab ye Quresh ke mukhtalif Logo'n ke paas gaya k Koi Ou'nt ki Qeemat use dilwa de, Waha'n ek Majlis Arasta thi, Araashi ne Ahle Majlis se Apeal ki k Aapme se koi meri Raqam Abu Jahal se dilwa de, Mai'n ek Musafir bewatan hu'n aur mere Saath Zyadti ho rahi hai,*
*"❀_ Ahle Majlis me se kisi ki jurrat na thi k Wo Abu Jahal se ja kar ek Musafir ka haq dilwaye, isliye baat ko taalne ke liye ishara kar ke kehne lage k wo dekhte ho ek Shakhs ( Muhammad ﷺ) betha hai, Uske paas jao wo Wasooli Kara dega, Dar Asal ye ek tarah ka Mazaaq tha Kyu'nki Muhammad ﷺ se Abu Jahal ko jo Adawat thi wo Zaahir thi,*
*"❀_ Araashi Aan Hazrat ﷺ ke paas Pahu'ncha aur Apna maajra bayan kar ke madad talab ki, Aan Hazrat ﷺ uthe aur farmaya mere saath aao, Wo log dekhne lage k ab kya hota hai, Rasulullah ﷺ Haram se nikal kar Abu Jahal ke ghar per aaye, Darwaza Khatkhataya, Awaaz aayi kon hai ? Farmaya - Muhammad! Bahar aao mere paas, Abu Jahal nikla, Chehre ka rang bilkul uda hua tha, Aapne farmaya - is Shakhs ka haq ise de do, Chuna'che be chu'n Chara Abu Jahal ne Adaygi kar di_,"*
*"❀_ Araashi khush khush Haram ki us Majlis ki taraf palta aur Waqi'a Sunaya, Ye Asar tha us Azeem Character ka jo Muhammad ﷺ ki zaat me Jalwagar tha, Iska aitraaf khud Abu Jahal ne kiya aur Ahle Majlis se aa kar kaha k usne ( Muhammad ﷺ ne ) aa kar darwaza Khatkhataya maine uski Awaaz suni aur Yakayak ek Roab mujh per Taari ho gaya,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 151,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–95_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Muhajireen E Habsha Ke zariye islam ka Paigaam ek naye ilaaqe me ja pahu'ncha to waha'n se 20 iysaaiyo ka ek Wafad Makka aaya, Ye Log Masjide Haraam me Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me aaye, bethe baat ki aur Sawalaat poochhe, Aan Hazrat ﷺ ne Qur'an Sunaya aur Dawate Haq pesh ki, Un Logo'n ki Aa'nkho me Aa'nsu bhar aaye, Allah ki pukar ko Qubool kiya, imaan laye aur Nabi Kareem ﷺ ki Tasdeeq ki,*
*❀"_ Jab ye uth kar nikle to bahar Qureshi Mukhalifeen Masjid ke gird mandla rahe they, Abu Jahal ne is Giroh ko nishana alamat banaya k tum bhi kya Ahmak log ho Jo Apne Deen ko Khairbaad keh diya, Wafad walo ne jawab diya, Aap Logo'n ko hamari taraf se salam arz hai, hume Aapke Saath koi jhagda nahi karna, hamara Raasta alag, Aapka Raasta alag ! Hum Apne Aapko ek bhalayi se mehroom nahi rakhna chahte _,"*
*❀"_ Bait E Uqba Saniya ki Saari Kaarwayi raat ki Tareeki me bade Ahatmam ikhfa ke saath isi vajah se Amal me layi gayi thi k Ashrare Makka ki taraf se Sakht mazahmat thi, Ahle Wafad jab Bait ki Majlis se faarig ho kar qayamgaho me pahu'nche to Quresh ke Sardaaro ne unko waha'n pakad liya, inki mujhbari ka Nizaam esa Mazboot tha k inhone Bait ka qissa bayan kar ke kaha k tum hamare Aadmi ( Muhammad ﷺ) ko nikaal le jana chahte ho aur uske haath per Tumne hamare khilaaf Jung karne ka paimaan baa'ndha hai, khoob samajh lo k Tum log Agar hume aur Ahle Arab ko Lada doge to Tumse badh kar Qabile nafrat hamari nigaaho me koi doosra nahi ho sakta _,"*
*❀"_ Ansar ne baat ko chhupane ki koshish ki, Chuna'che us waqt to baat Tal gayi aur Ansari Qafila rawana ho gaya, lekin Quresh baad me barabar Tajassus me lage rahe aur poori ittela pa Li, Ansari Qafile ka puchha kiya gaya aur Sa'ad bin Ubada aur Manzar bin Amru Raziyallahu Anhum unke haath aa gaye, Ye dono apne apne Qabilo per Bait ke dauraan Naqeeb muqarrar hue they, Manzar to they hi kamzor Aadmi, Sa'ad bin Ubada ko Quresh ne pakad liya aur Unke Haath gardan ke saath baa'ndh diye aur giraftaar kar ke Makka le gaye, Makka pahu'nch kar khoob maara, Unhe Baal pakad kar jhanjhoda _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 151,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–96_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- Sa'ad bin Ubada Raziyallahu Anhu ka khud apna bayan hai k isi haalat me Quresh ka Ek Aadmi Aaya jiska chehra Roshan aur Wajahatdaar tha, Lamba aur khoobsurat! Maine Dil me kaha k Agar is Qaum me koi khair baqi hai hai to iski Tawaqqo isi Shakhs se ki ja sakti hai, Wo jab qareeb aaya to usne haath utha kar zor se mujhe thappad lagaya, Ab Dil me Maine Samajh liya k is Giroh me bhalayi ki koi ramaq baqi nahi,*
*❀"_ Aakhir ek Shakhs ne Narmi ke Saath puchha k kya Tumhara koi Aadmi Quresh me esa nahi hai k Jisse Tumhara koi Bhaichara ya koi Ahad v Paimaan ho ? Maine Juber bin Mut'am aur Haaris bin Harb ke naam liye, Usne kaha fir Pukaro unke naam aur jo Talluq unke saath hai use bayan karo, Chunache maine esa hi kiya, Wohi Shakhs unhe dhoo'ndne nikla, Wo dono paas hi mil gaye aur unhone aa kar mujhe chhudaya,*
*❀"_ islam ki Mukhalfat ki Muhim ka ek Sarkheel Nafar bin Haaris bhi tha, Ye Apni Tijarat ke liye Aksar Faaras jata, Waha'n se Shahane Ajam ke Tareekhi qisso bhi jama kar lata aur Adabi Andaz se Kahaniya'n bhi, Chuna'che isne Makka me Qur'an ke inqilabi Adab ke muqable per Hajam ke Salfi Adab ka adda qaa'im kiya aur Logo'n ko Dawat deta k Muhammad ( ﷺ) se Aad v Samood ke feeke qisse kya Sunte ho, Aao Mai'n tumko Rustam v Asfanad ki Sarzameen ki Chatpati Kahaniya'n sunau'n _,"*
*❀"_ Nafar bin Haaris ko ek Mustaqil insaani kirdaar bana kar Qur'an ne hamare Saamne Yu'n rakha hai k:- "Aur Logo'n me ek kirdaar esa bhi hai jo Dil behlane ke Afaano ka kharidaar hai taki unke zariye ( Logo'n ko) Allah ke Raaste se bager Samjhe boojhe behkaye aur uska Mazaaq Udaye _," ( Surah Luqman -2)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 152,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–97_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Ye Nafar bin Haaris wo hai Jisne Ek Majlis me Abu Jahal ke Saamne Dawate Muhammad ﷺ ke mozu per ye Taqreer ki thi:- Ey Giroh Quresh ! Tumhare ouper ek maamla aa pada hai k Aage chal kar iske khilaaf tumhara koi Hila Kaargar na hoga, Muhammad (ﷺ) tumhare Darmiyan ek man mohna no Khaiz ladka tha, Tum Sabse bad kar Raast go tum Sabse bad kar Amanatdaar! Yaha'n tak k Jab uski Kanpatiyo me Safed Baal aa gaye aur usne tumhe apna wo Paigaam diya to ab tum kehte ho k wo Jadugar hai, Kehte ho k wo Kaahin hai,.. kehte ho k wo Shayar hai... Aur kehte ho k wo Diwana hai .. inme se koi baat bhi durust nahi hai, Ey Giroh Quresh! Apne moquf per gor karo, kyunki khuda tumhare Saamne Ek Amre Azeem aa chuka hai _,"*
*❀"_ Nafar bin Haaris ki ye Taqreer batati hai k wo Dawate Muhammad ﷺ ki Azmat ko bhi Samajhta tha aur Mohsin E Insaniyat ke Kirdaar ki raf'at se bhi Agaah tha, Wo Apne Zameer ko pamaal kar ke Huzoor ﷺ ke Paigaam ki Mukhalfat ke liye Shaitani Tarkeebe nikalta tha, Use Andaza tha k Ek Ba Maqsad Tehreek ke Sanjida Paigaam ke muqable me Aam Logo'n ke liye Salfi Adab me zyada kashish ho sakti hai, isliye usne Salfi Adab ke Ek Maktab ki ibtida kar di,*
*"❀_ Nafar bin Haaris kaha karta tha k, "Mai'n Muhammad (ﷺ) se zyada Dilchasp Kahaniya'n pesh karta hu'y, Fir jab wo Ajmi Dastaane bayan karta to kehta k Aakhir Muhammad ( ﷺ) ki baate kis pehlu se meri baato se zyada Dilchasp hai'n, Doosri taraf wo Huzoor ﷺ ke kalaam per Asateer Awwaleen ki phabti kasta,*
*"❀_ Itna hi nahi usne gaane bajane wali ek fankaar londi bhi khared ki thi, Logo'n ko jama kar kar khane khilata, Fir us Londi se gaane Sunwata, Jis Nojawan ke mutalliq maloom ho jata k wo islam ki taraf raagib ho raha hai to uske Yaha'n us Fankaar londi ko le jata aur use Hidayat karta k Zara ise khila pila aur mosiqi se shaad kaam kar, Art aur culture ke ese mazahire ke baad Tanz kar ke kehta k Muhammad ( ﷺ) jis kaam ki taraf bulate hai'n Wo mazedaar hai ya ye ?*
*®_( Seerate Mustafa- Maulana Idrees Kandhalvi -1/188)*
*❀"_ Lekin Paigame Haq aur Ek Ba Maqsad Tehreek ke muqable me ye Sab Nateeja khair Saabit na hue, Chaar din Dhoom Dhaam rahi fir ye saare hungame thande pad gaye,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 153,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–98_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥-_Chuna'che Apne is Harbe me Nakaam ho kar yahi Nafar bin Haaris Quresh ke Sardaaro ke Mashware se Yahoodiyo ke Molviyo'n ke Paas Madina pahu'ncha k Tum ilm rakhte ho to hum be ilmo ko batao k Hum Tehreeke islami se kese nipte, aur kese Daa'i Haq ko kese Shikasht de'n, Ulma E Yahood ne sikhaya k us Shakhs se Aahabe Kahaf aur Zul Qarnain ka qissa dariyaft karo aur Rooh ki Haqeeqat puchho, Chuna'che Faislakun Andaz se ye Sawalaat rakhe gaye, Wahi E ilaahi ne itminaan Bakhsh jawab de diye, Lekin Kufr ki hat ka kya ilaaj?*
*❀"_ ibtidayi Khufiya Marhale se nikalne ke baad islami Tehreek jab tezi se failne lagi aur fir Aage chal kar jab Propogande aur Tashaddud ki mukhtalif Tadbeere Nakaara saabit hui to esi Koshishe hone lagi, K kisi tarah Samjhote ki Raah nikle aur kuchh Maan kar aur kuchh manwa kar jhagda khatm Kiya ja sake, Magar Usooli Tehreeko me itni lachak hoti hi nahi k Len den kar ke koi darmiyani Raah paida kar li jaye,*
*❀"_ Unki ek Shart Samjhote ki ye thi k Huzoor ﷺ unke Buto v Ma'aboodo ke khilaaf zuban na khole aur unke mazhab ko bura na kahe, aur iske alawa Jo kuchh Wa'az bhi karna chahe aur jesi kuchh Akhlaqi Nasihate farmana chahe gawara kar li jayengi, Yani "La ilaaha" na kahe mahaz Allah ka naam lene ki gunza'ish ho sakti hai,*
*"❀_ isi tarah unki taraf se Khwahish ki gayi k ( Surah Yunus-15) Yani is Qur'an ko to Baala E Taaq rakh do aur koi doosra Qur'an lao, Ya isme raddo badal kar lo ( taki kuchh hamare Taqazo ke liye bhi gunza'ish nikle)*
*❀"_ iska Jawab Wahi E ilaahi ke Alfaaz me Huzoor ﷺ ki Zuban Mubarak se ye dilwaya gaya k, "_Mera ye Akhtyar nahi, k is ( Qur'an ) ko Bator khud badal lo, jo kuchh mujh per wahi kiya jata hai, uske ma Siva kisi aur cheez ki pervi nahi kar sakta, Mai'n agar Apne rab ki Nafarmani karu'n to Yaume Azeem ( Qayamat) ke Azaab ka Andesha rakhta hu'n, isse badh kar Zaalim aur kon hoga jo koi galat baat ( Apni taraf se ghadh kar ) Allah Ta'ala se mansoob kar de _," ( Surah Yunus-15)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 153,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–99_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Masalihat ( Samjhote) ki Raah nikalne ke Liye Mukhalifeen ne Huzoor ﷺ ke Saamne Ek Mutalba ye bhi rakha k Agar Aap Apne Halqe se Hamare Ma'ashre ke Ghatiya Logo'n, Hamare Gulamo aur Kal ke Lo'ndo ko nikaal de'n to Fir hum Aapke Paas aa kar bethe aur Aapki Talimaat ko sune, Aakhir mojooda Halaat me hamare martabe se ye ba'ied hai k hum koi istefada kar sake, Panch Logo'n ne hamara Raasta rak rakha hai, Yaha'n hum unko dekhte hai'n k wo Tehreek ke Khawas bane bethe hai'n aur unko badi Qurbat haasil hai, Unhi logo'n ke bare Aksar Tanzan kaha karte they k ye hai'n wo Hastiya'n jo Qaisar v Kisraa ki jaanasheen banne wale hai'n _,"*
*❀"_ Qabl iske k Huzoor ﷺ ke Dil per is Fareb karana khwahish ka koi Asar hota Qur'an ne Aap per Waaze kiya k ye to Mukhalifeen ki mahaz ek chaal hai Jese k wo jumla Ambiya ke khilaaf chalte rehte they, Maslan Theek esi hi baat Nooh Alaihissalam ke Saamne bhi rakhi gayi thi, ( Hood-27) Pas Aap un Saathiyo ko Mukhalifeen ke liye Apne qareeb se hargiz mehroom na kare'n Jo Subeh v Shaam khuda ka naam pukarne wale hai'n _," ( An'ama -52)*
*❀"_ Balki Hidayat di gayi k ikhlaas ke ye Paikar jo Tarah Tarah ki musibate utha rahe hai'n, Inko Apne Saaya Shafqat me rakho, aur imaan lane walo me se jo log Tumhari pervi Akhtyar kare'n, Unke Saath Tawazo se pesh aao _, ( Ash- Shu'ara- 215)*
*❀"_ Balki Ek moqe per ek Mukhalif se Guftgu karte hue Huzoor ﷺ ne ek Nabina Sahabi ( Ibne umme Maktoom) ki mudakhlat ko na pasand kiya to itni si baat per Tambeeh aa gayi_," ( Surah Abasa- 1 se 10)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 154,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–100_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥ isi Silsile me ek baar Mukhalifeen Quresh ki Majlis me gor v Fikr ho raha tha aur doosri taraf Rasoole khuda ﷺ Haram me tanha Tashreef farma thay, Uqba bin Rabi'a ne Ahle Majlis se kaha k Agar Tum log pasand Karo to Mai'n Muhammad (ﷺ) ke paas ja kar baat karu'n aur uske Saamne esi Soorte'n pesh Karu'n Jinme se mumkin hai k kisi ko wo chahe to Qubool kar le, aur fir hum use Apna kar de'n aur Wo hamare muqable se baaz aa jaye,*
*❀"_ Ye Sareeh Tor per Saudabaazi ki ek Tajveez thi aur Yaha'n tak Agar Quresh aa pahu'nche they to Dar Haqeeqat Hazrat Hamza Raziyallahu Anhu ke imaan lane aur Tehreek ke tezi se failne ki vajah se majboor ho kar aa pahu'nche they, Majlis ki Razamandi se Uqba ne Huzoor ﷺ se ja kar Yu'n Guftgu ki :-*
*"❀_ Ey Bradar Zaade ! Tumhara jo kuchh martaba hamare Darmiyan hai Wo Tum khud jaante ho, Khandaan bhar me Tumhara Muqaam buland hai aur Nasab ke Lihaaz se tum ek Shaan rakhte ho_," is khushamad Aamez magar mubni Bar Haqeeqat baato ke baad Uqba ne Shikayat ki k Tumne Qaum ko badi uljhan me daal diya hai, Unki Wehdat ko paara paara kar diya hai, Unke Akaabir ko Ahmak qaraar diya hai, Unke Ma'aboodo aur unke Deen me aib lagaya hai, Unke guzre hue Aaba v Ajdaad ki Takfeer kar daali hai, Ab meri baat suno aur Mai'n Jo Jo kuchh pesh karta hu'n un Saari Soorto per gor karo, Shayad k Tum unme se koi baat Qubool kar lo,*
*❀"_ Huzoor ﷺ ne farmaya, "_Tum kaho Ey Abul Waleed ! Mai'n sununga _," Uqba ne Hasbe zel Soorto ki pesh kash ki:- Agar is Sare Hungame se Tumhara maqsad Daulat ho to fir hum tumhare liye itna maal jama kar de'n k tum hum Sabse bad kar Maaldaar ho jao,"*
*"_ Agar tum iske zariye Sardaari v Qayadat chahte ho to hum tumhe Apne ouper Sardaar muqarrar kar lete Hai'n, Yaha'n tak k Tumhare bager hum kisi bhi maamle me koi faisla nahi karenge _,"*
*"❀_ Agar Tum Baadshahat chahte ho to hum Tumhe Apna Baadshah Tasleem kiye lete Hai'n, aur Agar ye is vajah se hai k Tum per kisi Jinn vagera ka Saaya hota hai aur Wo Tum per Musallat ho jata hai to fir hum kuchh Chanda vagera kar ke tumhare liye ilaaj ka Samaan kare'n, Fir ya to tumhe isse Nijaat dila de'n ya Nakaami ho to ma'zoor Samjhe'n _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 154,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–101_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Poori pesh kash ko sun kar Huzoor ﷺ ne farmaya - Abu Waleed ! Kya Tum Apni baat keh chuke ? Usne kaha - Haa'n, Farmaya - To Ab meri suno, usne kaha - kaho ! Huzoor ﷺ poori pesh kash ko ek taraf daal kar Qur'an ki Ayaat sunani shuru ki ( Hameem Sajda- 1 se 5 tak),*
*"❀_ Huzoor ﷺ jab tak Sunate gaye Uqba dono haath pichhe le ja kar un per tek lagaye hue chup chaap sunta raha, Huzoor ﷺ ne Sajda Tilawat aane per qiraat roki aur Sajda kiya, fir farmaya - Abu Waleed ! Tumne sun liya jo kuchh suna, Ab tu jane aur ye _,"*
*"❀_ Uqba utha aur Apne Saathiyo ke paas Pahu'ncha, Unhone Nazar padte hi kaha k Uqba ka Chehra badla hua hai, Ab wo rang nahi Jo jate waqt tha, Tashveesh ke saath Unhone maajra puchha, Uqba ne kaha - maajra ye hai k Maine esa kalaam suna hai k jesa kabhi nahi suna, Ba Khuda na wo Shayr hai, na jaadu hai aur na Kahanat hai, Ey Giroh Quresh meri baat maano aur uski zimmedari mujh per rehne do, Us Shakhs ko uske haal per chhod do aur uske pichhe na pado, khuda ki qasam jo kalaam maine usse suna hai isse Yaqinan koi bada natija nikalne wala hai, Agar Ahle Arab ne usse nipat liya to doosro ke zariye tumhe usse Nijaat ho jayegi aur Agar wo Arab per chha gaya to uski Saltnat tumhari hi Saltnat hogi, aur uski Taaqat tumhari Taaqat hogi, aur tum uske waaste se Logo'n me Sabse badh kar khush naseeb ho jaoge _,"*
*❀"_ Uqba ki baat sun kar Majlis me Yu'n Mazaaq udaya gaya k Abu Waleed uski zuban ka jaadu to tum per bhi chal gaya, Uqba ne kaha k uske mutalliq meri raay to yahi hai jo Maine keh di, Ab tum Jo chaho karo,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 157,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–102_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- Ek koshish is Silsile me aur ki gayi, Bade bade Sardaar.. Utba bin Rabi'a, Shiba bin Rabi'a, Abu Sufiyan bin Harb, Nafar bin Haaris, Abul Bakhtari bin Hisham, Aswad bin Mutalib, Zam'a bin Aswad, Waleed bin Mugira, Abu Jahal bin Hisham, Abdullah bin Abi Umayya, Aas bin Waa'il, Nabiya aur Munha Abna'e Hijaaj, Umayya bin khalf .. gurube Aaftab ke baad Kaaba ke paas jama hue, inhone Rasoole khuda ﷺ ko bulwa bheja, Huzoor ﷺ Achchhi Tawaqqoat ke saath jald jald aa pahu'nche, Unhone Apni usi pesh kash ko jo pehle Uqba ke Zariye pahu'nchayi gayi thi, Ek baar fir dohraya, use Sun kar Huzoor ﷺ ne ye jawab diya:-*
*❀"_ Tum log jo kuchh keh rahe ho, Mera Maamla usse mukhtalif hai, Mai'n Jo Dawat tumhare Saamne le ke utha hu'n, ise isliye nahi pesh kar raha k iske Zariye tumse maal v daulat haasil karu'n ya Tumhare ouper Baadsahat qaa'im karu'n, Mujhe to khuda ne tumhare Saamne Apna paigambar bana kar uthaya hai, Usne mujh per kitaab utaari hai aur mujhe hukm diya hai k Tumhare liye Basheer v Nazeer banu,*
*❀"_ So maine khuda ki Hidayaat tum tak pahu'ncha di hai'n aur Tumhari khair khwahi ka haq ada kiya hai, Ab Jo kuchh Mai'n laya hu'n Agar ise tum Qubool kar lo to wo Tumhare liye Duniya v Aakhirat ki Bhala'i ka zariya hai aur Agar tum ise meri taraf Waapas Fai'nk do to Mai'n Allah ke hukm ke intezar me Sabr dikhaunga, Yaha'n tak k khuda mere aur Tum Logo'n ke Darmiyan Apna faisla saadir farma de,*
*"❀_ Ye jawab Sun kar jab unhone dekha k Aage badhne ka Raasta nahi mil raha, to tarah tarah ki Hujjate nikalna shuru ki, Maslan ye kaha k Tum jaante ho k hamari ye Sar Zameen bahut hi tang hai, isme Pani ki kami hai aur Yaha'n ki zindgi bahut Kathin hai, Tum khuda se kaho k wo in pahaado ko Yaha'n se hata de aur hamari zameen ko Kushada kar de aur isme Shaam v Iraq ki tarah Dariya chala de, Fir ye kaha k khuda hamare Aaba v Ajdaad ko utha khada kare, aur unme Qusa'i bin Kilaab zaroor shamil ho kyunki wo Mard Buzurg Bada Raast baaz tha,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 158,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–103_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Hum Usse Tumhari Dawat ke bare me dariyaft karenge k ye Haq hai Ya Baatil! Fir hamare Aslaaf zinda ho kar Agar tumhari Tasdeeq kar de'n aur Tu Wo baate kar dikhaye Jinka maatlba humne kiya hai to hum tumhari Tasdeeq karenge aur khuda ke Yaha'n tumhara ye martaba hume Tasleem hoga k usne tumhe Waqa'i Rasool bana ke bheja hai,*
*❀"_ Fir kaha k ye bhi nahi karte to hum per Azaab hi Waarid Kara do, Huzoor ﷺ mutalbaat per baar baar apni wohi baat dohrate chale gaye aur kehte gaye k in kaamo ke liye mujhe nahi uthaya gaya _,"*
*❀"_ Aakhir Jab Huzoor ﷺ uth khade hue to Aapke Saath hi Saath Abdullah bin Abi ( Jo Huzoor ﷺ ka Foofizaad Bhai tha) bhi uth khada hua aur Aapse mukhatib ho kar kehne laga k Tumhari Qaum ne Tumhare Saamne kuchh baate rakhi, lekin tumne koi pesh kash bhi Maan kar nahi di, Ab to khuda ki qasam Mai'n Tumhare ouper imaan nahi launga khwah tum Aasmaan per Seedi laga kar us per chadhte hue dikhayi kyu na de jao aur fir Aa'nkho ke Saamne utro aur Tumhare Saath Chaar Farishte bhi aa kar tumhari Sadaqat ki gawahi kyu na de de'n, Khuda ki qasam Agar Mai'n esa Karu bhi to Mera qat'an ye khayal nahi k Mai'n Haqiqatan Tumhari Tasdeeq karunga _,"*
*❀"_ Ese hi Waqi'aat me se ek ye hai k Safar Taa'if ke baad jab Huzoor ﷺ ne Makka se nikal kar Aas Paas ke Qabilo me Paigaam Pahu'nchana shuru kiya to ek baar Qabila Banu Aamir bin Sa'asa ke Yaha'n bhi pahu'nche aur Sadaar Qabila Bahira bin Faraas se Mulaqaat ki, Usne Huzoor ﷺ ki Dawat suni fir Saathiyo se kehne laga- Ba khuda agar Quresh ka ye Nojawan mere haath aa jaye to Mai'n iske Zariye Saare Arab ko mutthi me le lu'n _," fir Aapko khitaab kar ke puchha k agar hum log is Dawat ko Qubool kar le'n aur Tum Mukhalifeen per Gaalib aa jao to kya ye Waada karte ho k Tumhare baad ye Saara silsila meri Tahveel ( qabze) me aa jayega ?*
*"_ Aap ﷺ ne jawab diya k, Ye to khuda ke Akhtyar me hai, wo jise chahega mere baad muqarrar karega _,"*
*❀"_ Bahira ne is per kaha k kya khoob ! Is waqt to Arab ke Saamne hum Seena Sipar ho'n aur jab Tumhara kaam ban jaye to Fayda koi doosra haasil kar le jaye, Jao humko is Silsile se koi matlab nahi_,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 159,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–104_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Barahe Raast Aan Hazrat ﷺ ke khilaaf to Har ghadi aur har har Saa'ns gona go Zyadtiya'n ki hi jati rahi, Lekin Aapke Rafqa ko jo Aziyate di jati thi'n wo bhi bil waasta Aap hi ke Hassas qalb ko chhalni karne wali thi'n, Ab dekhiye k kis per kya guzri ?*
*❀"_ Khabbab bin Art Tamimi Raziyallahu Anhu Jaahiliyat ke daur me Gulam bana kar bech daale gaye they, aur Umme Namar ne unko kharida tha, Ye jis Waqt imaan laye Quresh ne jalte Angare bichha kar unko Bistare Aatish per litaya, aur Chhaati per ek Shakhs khada ho gaya taki karwat na badal sake, Angare peeth ke niche hi thande ho gaye,*
*❀"_ Baad me Khabbab Raziyallahu Anhu ne Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko ek martaba peeth dikhayi to Safed Kod ki tarah safed daag us per numaya they, Pesha ke Lihaaz se ye Lohaar they, islam lane ke baad jab inhone Logo'n se Wajibul Wasool ujrato ka Taqaza kiya to jawab mila k jab tak Muhammad ﷺ ka inkaar nahi karoge, Ek Kodi bhi nahi milegi, Ye Goya Ma'ashi Chot lagayi ja rahi thi, magar haq ka ye Sipahi kehta k tum log jab tak mar kar zinda na ho jao esa nahi ho sakta,*
*❀"_ Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu bin Rabah Habshi Umayya bin khalf ke Gulam they, Jab Suraj theek nisfun nahaar per aa jata to Arab ki Tapti ret per inko litaya jata aur Seene per bhaari Patthar rakh diya jata taki karwat na badal sake, Umayya is haalat me inse kehta k islam se baaz aa jao Varna isi tarah khatm ho jaoge, Hazrat Bilaal jawab me Sirf "Ahad ! Ahad !" Pukarte,*
*"❀_ Umayya ka gussa aur bhadak gaya, usne Aapke gale me Rassi daal kar Shehar ke Lo'ndo ko Saath laga diya, wo Aapko gali gali ghaseette firte lekin ye Aashiq jaa'nbaaz usi tarah Ahad Ahad pukarta firta, kabhi Aapko Gaay ki khaal me lapeta jata, Kabhi Apni zira pehna kar tez dhoop me bithaya jata, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Umayya bin khalf se ek gulam ke Evaz me khareed kar Azaad kar diya _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 161,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–105_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Ammar bin Yaasir Raziyallahu Anhu Quhtani Asal they, inke Waalid Yaasir Raziyallahu Anhu Yaman se Apne Do Bhaiyo'n ke Saath ek Gumshuda Bhai ki Talash me aaye they, Do Bhai to Waapas chale gaye aur Yaasir Abu Huzaifa Makhzumi se Halifana Talluqaat qaa'im kar ke Makka me hi reh gaye aur Yahi Shaadi Kar li,*
*❀"_ Yaasir Raziyallahu Anhu Samet Taqriban Saara hi gharana islam le aaya, Chu'nki Ammar bin Yaasir Raziyallahu Anhu ka koi Qabila Makka me na tha isliye un per khoob sitam dhaye jate, Unhe islam Qubool karne ke jurm ki saza Yu'n di jati k unko bhi jalti Zameen per litaya jata aur Quresh unko itna maarte k baar baar behosh ho jate, inke Walden per bhi isi tarah Zulm kiya jata,*
*❀"_ Pani me unko gote bhi diye jate aur Angaro per bhi tadpaya jata, Huzoor ﷺ inke Sar per Daste Shafqat fair kar khaas dua karte aur Basharat dete, Hazrat Ali ki Rivayat hai k Huzoor ﷺ farmate k Ammar sar se per tak imaan se bhara hua hai,*
*❀"_ Hazrat Sumayya Raziyallahu Anha jo Hazrat Ammar Raziyallahu Anhu ki Walida thi'n, unko islam lane per Abu Jahal ne Nihayat Wehshana Tareeqe se Barchhi maar kar Halaak kar diya, Yahi Awwaleen Khatoon hai jo Raahe Haq me Shaheed Hui, Hazrat Yaasir Raziyallahu Anhu Jo Hazrat Ammar Raziyallahu Anhu ke Waalid they Wo bhi Zulm Sehte Sehte Shaheed ho gaye,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 161,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–106_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Suhaib Raziyallahu Anhu bhi Ammar Raziyallahu Anhu ke saath imaan laye they, inko is bedardi se mara jata tha k Dimagi Tawazan baar baar Darham Barham ho jata, Daure Hijrat me Quresh ne inko is Shart per Madina jane ki ijazat di k Apna Saara maal v Asbaab de jaye'n, inhone ba khushi manzoor kiya aur Khali haath nikal gaye,*
*❀"_ Abu Faqeeh Raziyallahu Anhu Safwan bin Umayya ke Gulam they aur islam lane me Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu ke Hum Asar, Umayya ko ittela hui to Paa'nv me Rassi dalwa kar Logo'n se kaha k Tapti ret per litane ke liye ghaseet kar le jao, Raaste me ek gabrila dikhayi diya to Umayya ne kaha k Yahi to Tera khuda nahi, Unhone Sanjidgi se jawab diya k mera aur Tera dono ka khuda Allah Ta'ala hai,*
*❀"_ is per Umayya ne is zor se unka gala gho'nta k log ye Samjhe k dam nikal gaya, magar Bach Gaye, Ek baar itna bhari Patthar unke Seene per laad diya k behaal ho jane ki vajah se zuban bahar nikal aayi, kabhi inko lohe ki bediya'n pehna kar jalti Zameen per ulta litaya jata, inko bhi Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Khareed kar Azaad Kara diya,*
*❀"_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Jo Umr ke Lihaaz se bhi Qabile Ahatram they aur maal v jaah rakhte they, jab islam laye to inke Apne chacha ne Rassi se baa'ndh kar Peeta,*
*"_ Hazrat Zuber bin Awaam Raziyallahu Anhu ko islam lane ki saza dene ke liye inke chacha chatayi me lapet kar Dhuwa'n dete they, magar wo poori Azmat se farmate Mai'n kufr to hargiz nahi karunga _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 162,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–107_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Saied bin Zaid Raziyallahu Anhu ko ( Ye Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke Chachazaad Bhai they) Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Rassiyo me baa'ndh diya, Sa'ad bin Abi Waqaas Raziyallahu Anhu ke Saath bhi Zalimana kaarwaiya'n ki gayi, Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ne islam lane per Haram me pehli martaba ba Awaaz Qur'an padha, Surah Rahman ki Tilawat Aapne shuru hi ki thi k Quresh toot pade aur Moo'nh per Tamache maarte gaye, Magar fir bhi Tilawat jaari rakhi aur zakhmi chehre ke saath Waapas hue,*
*❀_"_ Usman bin Maz'oun Raziyallahu Anhu Waleed bin Mugira ki panah me hone ki vajah se ibtida Mamoon they, Lekin Rasoole khuda ke Ashaab per jo imtehani ghadiya'n guzar rahi thi'n unko dekh kar Usman Raziyallahu Anhu ke Dil me Ahsaas Paida hua k Mai'n ek Mushrik ke Saaya Himayat me Aman chain se rahu'n jabki mere Saathi ye kuchh bhugat rahe hai'n,*
*❀_"_ Unhone Waleed bin Mugira se baat ki k Mai'n Panah waapas karta hu'n, Waleed ne Samjhaya k, Bhatije meri Qaum ka koi fard tumhare saath bad sulooki na kar bethe_," Unhone kaha k nahi Mai'n To Allah ki panah me rahunga aur uske ma Siva aur kisi ki panah mujhe gawara nahi, Kaaba me ja kar Unhone ba Awaaz buland Waleed bin Mugira ki panah Waapas karne ka Elaan kiya aur uske baad Quresh ki Majlis me ja bethe,*
*"❀__ Is per ek Shakhs utha aur usne Usman bin Maz'oun Raziyallahu Anhu ko ek thappad esa maara k unki Aa'nkh foot gayi, is per Waleed bin Mugira ne kaha k tum Agar meri panah me rehte to Aa'nkh se Yu'n haath na dho bethte, Usman bin Maz'oun Raziyallahu Anhu ne jawab diya k meri jo Aa'nkh Bach Rahi hai wo Qurban hone ko Tayyar hai, Mai'n us Hasti ki panah me hu'n Jo tumse zyada Sahibe izzat v qudrat wala hai,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 163,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–108_* ★
*⚂ MAKKI DAUR- DAWAT E AAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥Hazrat Abuzar Gifaari Raziyallahu Anhu ne Dawat Haq ko Qubool kiya to inqilabi Rooh se Sharshar ho kar Seedhe Haram pahu'nche aur waha'n ja kar ba Awaaz buland Apne naye Aqeede ka Elaan kiya, Quresh Sitpita gaye aur kehne lage k ye kon Bedeen hai, maaro ise, Chuna'che maar Peet shuru ho gayi, iraade ye they k unko Jaan se maar diya jaye, magar Huzoor ﷺ ke chacha Abbaas Raziyallahu Anhu ka ittefaqan guzar hua to unhone kaha k ye to Qabila Gifaar ka Aadmi hai aur tumhe Tijarat ke liye usi Qabile ki Hudood se ho kar jana hota hai, Kuchh hosh karo, log baaz aa gaye, doosre Roz Unhone fir Aqeede ka Elaan kiya aur fir maar khayi,*
*"❀_Hazrar Umme Shareek Raziyallahu Anha imaan laayi'n to unke Azeezo Aqarib ne unhe Chilmilati dhoop me khada kar diya, is haalat me wo unko khane ke liye Roti ke Saath Shehad dete aur pani na pilate taki garmi ka Doguna Azaab bhugte, Teen Din Musalsal isi Aalam me guzar gaye, intehayi musibat ke lamho me unse mutalba kiya gaya k islam ko chhod do, Unke Hawaas is darja mutassir ho chuke they k wo is baat ko samajh tak na saki thi'n, Fir Zalimo ne Aasman ki taraf ishara kar ke kaha k khuda E Waahid ka inkaar kar do, Jab Wo mudd'a samajh gayi'n to kaha k khuda ki qasam Mai'n to Apne Aqeede per qaa'im hu'n _,"*
*❀"_ Khalid bin Aas Raziyallahu Anhu ke Quboole islam per unke Baap ne is qadar maara k Sar Zakhmi ho gaya, Unko faaqa ka Azaab bhi diya gaya, Garz ye k kon tha jise is bhatti me na daala gaya ho, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko unke Chacha Hakam bin Aas ne Rassiyo me jakad diya, Yahi Sulook Talha Raziyallahu Anhu ke saath hua,*
*"❀_ Waleed Raziyallahu Anhu bin Waleed, Ayaash Raziyallahu Anhu bin Abi Rabi'a aur Salma Raziyallahu Anhu bin Hisham ko intehayi Aziyate di gayi'n aur fir unko Hijrat se bhi roka gaya, Jor v Zulm ka intehayi muzahira wo bhi tha jo Apni Behan aur Behno'i ke saath Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne rawa rakha,*
*"❀_ Ek Taraf is Zehar gudaz Silsila Tashaddud ko dekhiye aur doosri taraf Tehreek islami ke Alambardaaro ki isteqamat mulahiza farmaye'n k Mard Aurte'n, Gulam aur Londiya'n jo bhi Haq se Sharshar ho gaya, fir uska qadam pichhe nahi hata, Zulm kisi ek Fard ko bhi irtedaad ki raah per na daal sake, Jo koi islam ki pukar per Labbek keh deta, uske Andar se bilkul ek Naya insaan Namudaar ho jata aur uske Seene me nayi quwwate jaag uthti _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 164,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–109_* ★
*⚂ HIJRAT E HABSHA ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Hijrat E Habsha :-*
*❀"_ Har musibat ki Bardasht ki koi Had hoti hai, imtihan ki jin Mushkil ghadiyo'n se Tehreek islami ke Alambardaaro ko Sabqa dar pesh tha unko bardasht karne me unhone hamesha ke liye yaadgaari namoona qaa'im kar diya, lekin Zulm v Zor kahi Rukne me nahi aa raha tha, balki Roz Ba Roz Zor pakadta hi ja raha tha,*
*❀"_ Huzoor ﷺ Apne Raqfqa ka haal dekh dekh kar kudhte, magar koi zor nahi chalta tha, Sahara tha to khuda ke imaan ka tha, Aakhirat ke Yaqeen ka tha, Sachcha'i ki Aakhri Fateh ki Qavi Ummeedo ka tha, Soz bhari Duao'n ka tha, Huzoor ﷺ Apne Rafeeqo ko tasalli dete k khuda koi na koi Raasta nikalega, Halaat bata rahe they k Nizaame Haq ki Buniyad nahi hone ki, Balki kisi doosre gosha e Zameen ko ye Sa'adat milne wali hai,*
*❀"_ Tehreeke islami ki Tareekh me Pehle bhi Hamesha Hijrat ka baab Zaroor Shamil raha hai, So Andaza ho chala tha k Mohsine insaniyat aur unke Rafeeqo ko bhi watan chhodna hoga, Ek ilaaqe ke log Agar na ahal saabit ho to Dawat kisi doosri Abaadi ko mukhatib bana leti hai, lekin jab tak khuda ki taraf se Waaze tor per hukm na ho jaye Ambiya ki ye Shaan nahi hoti hai k Awwaleen Markaz E Dawat ko chhod de'n _,"*
*❀"_ Taaham Huzoor ﷺ Jabar aur Sabr ki Aawezish ko ese marahil me dakhil hote dekh rahe they Jaha'n insaani Sabr ka paimana jhalak sakta hai, Musalman bechain they k Allah ki madad kab aayegi, in Halaat me Huzoor ﷺ ne Sahaba ko Mashwara diya k Zameen me Kahi'n nikal jao khuda jald hi tumko kisi jagah yakja kar dega _," puchha gaya k kidhar jaye'n, Huzoor ﷺ ne Mulk Habsh ki taraf ishara kiya,*
*❀"_ Dar Asal Rasoole khuda ﷺ ke ilm me tha k waha'n ki Badshahat insaaf per qaa'im hai aur iysaiyat ki Mazhabi Buniyado per chal rahi hai, Aapke Saamne ye imkaan tha k Shayad yahi ilaaqa Darul Hijrat banne ke liye mozu ho, isiliye Aapne us Mulk ke bare me farmaya k wo Sar Zameen Raasti hai _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 164,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–110_* ★
*⚂ HIJRAT E HABSHA ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Nabuwat Ke Paa'nchve Saal Huzoor ﷺ ki inqilabi Jama'at ke 11 Mardo'n aur 4 Aurto'n ka Qafila Hazrat Usman bin Affan Raziyallahu Anhu ki zere Qayadat Raat ki Tareeki me Habsha ko rawana hua, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke saath unki Ahliya Mohatrama yani Rasoole khuda ﷺ ki Sahabzadi janab Ruqayya Raziyallahu Anha bhi is Awwaleen Safare Hijrat per nikli, Huzoor ﷺ ne is Mubarak jode ke mutalliq farmaya - loot aur Ibrahim Alaihissalam ke baad ye pehla joda hai jisne khuda ki Raah me watan chhoda _,"*
*❀"_ is Qafile ke nikalne ke baad jab Quresh ko khabar hui to Pichha karne ke liye Aadmi daudaye, magar jab wo Bardargaah ( Jadda) pahu'nche to maloom hua unko ain waqt per kashtiya'n Tayyar mil gayi thi'n aur Wo Rasa'i se bahar hai'n, Ye Muhajireen thoda arsa ( Rajjab se Shawwal tak ) Habsha me thehre, Ek Afwaah pahu'nchi k Quresh ne islam Qubool kar liya hai, Ye Sab palat Gaye, magar Makka ke qareeb pahu'nch kar maloom hua k Afwaah galat thi,*
*❀"_ Ab Sakht mushkil pesh aa gayi, kuchh log chhup kar Shehar me Dakhil hue, is tarah Laut aane ka laazmi Natija yahi hona tha k pehle se badh kar Zulm hone laga, dobara bahut bada Qafila jisme 85 mard aur 17 Aurte'n Shamil thi'n, Habsha ja pahu'ncha, Waha'n unko pur Aman fiza mili aur wo itminaan se islam ke Taqazo ke mutabiq zindgi basar karne lage,*
*❀"_ Ab dekhiye k Haq Ke Dushmano ka Keena Kaha'n tak pahu'ncha hai, Un Logo'n ne ek Majlis me saare maamle per gor kar ke mansuba banaya aur Abdullah bin Rabi'a aur Amru bin Aas ko Sifarat ke liye mamoor kiya k ye Shahe Habsha se ja kar baat kare aur Muhajireen ko Waapas laye, is Maqsad ke liye Najashi aur uske darbariyo'n Ke liye Tohfe Tayyar kiye gaye aur bade Saro Samaan ke Saath Sifarat rawana hui_,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 165,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–111_* ★
*⚂ HIJRAT E HABSHA ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Habsha Pahu'nch kar ye Log Darbariyo'n aur Paadriyo'n se Saazish karne me mashgool ho gaye, aur unko Rishwate di, Unke Saamne Maamle ki ye Soorat rakhi k Hamare Shehar me Chand Sirfire Logo'n ne ek Mazhabi fitna utha khada kiya hai, aur ye Tumhare Mazhab ke liye bhi utna hi khatarnaak hai jitna hamare Aabaa'i dharm ke liye, humne unko nikaal diya tha to ab ye Yaha'n Aapki panaah me aa pade hai'n, Unko Yaha'n rehne nahi dena chahiye, is Maqsad me Aap humse Ta'awun kare,*
*❀"_ Unki Asal koshish ye thi k Darbaar me Saara jhagda zere bahas na aane paye, aur Muhajireen ko sire se baat karne ka moqa hi na mile, Baadshah Ek Tarfa baat sun kar unko hamare hawale kar de, isi maqsad ke liye Rishwate aur Saaz Baaz ke Tareeqe Akhtyar kiye gaye they, Ye log Jab Darbariyo'n ko Chaploos mil chuke to Najashi ke Saamne Tohfe le kar pesh hue,*
*❀"_ Fir Apni Garz bayan ki k Makka ke Ashraaf ne humko Aapki khidmat me isliye bheja hai k Aap hamare Aadmiyo'n ko hamare Saath Waapas kar de'n, Darbariyo'n aur Paadriyo'n ne bhi Taa'ied ki, magar Najashi ne ek tarfa Daave per Kaarwayi karne se inkaar kar diya aur saaf kaha k un Logo'n se Ahwaal dariyaft kiye bager Mai'n unko tumhare hawale nahi kar sakta, Doosre Din Darbaar me dono Fareeq talab kiye gaye,*
*❀"_ Musalmano ko jab Talbi ka Paigaam Pahu'ncha to unke Darmiyan mashwara hua k Baadshah Iysaa'i hai aur hum log Apne Aitqaad aur Maslak me usse ikhtilaaf rakhte Hai'n to Aakhir kya kaha jaye, lekin Faisla yahi hua k hum Darbaar me Wohi kuchh kahenge jo kuchh khuda ke Nabi ﷺ ne humko sikhaya hai, aur usme Zara bhi Farq na layenge .. jo ho so ho,*
*❀"_ Andaza kijiye k un Logo'n ka imaan kesa muhakkam tha, itne Sangeen Halaat me Haq aur Sachcha'i per qaa'im rehne ka Azm khuda ki den hai,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 166,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–112_* ★
*⚂ HIJRAT E HABSHA ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Fir jab ye Hazraat Darbaar me pahu'nche to muqarrar Aadaab ke mutabiq Najashi ko Sajda karne se ijtinab kiya, Darbariyo'n ne is Tarze Amal per bura manaya, aur Sawal kiya k Aakhir tum Logo'n ne Sajda kyu nahi kiya,*
*❀"_Hazrat Jaafar Raziyallahu Anhu ( Mutakallim Wafad) ne poori jurr'at se jawab diya k hum log Sivaye Allah ke Kisi ko Sajda nahi karte aur Rasulullah ﷺ ko bhi Sidhe Saade Tareeqe se salam hi kehte hai'n,*
*❀"_ Gor kijiye kin Naazuk halaat me Sachchi Toheed ka ye inqilabi muzahira kiya ja raha tha, Hareef jis Taaqat ke Saamne Chaaplusi kar rahe they, ye log uske Rubaru Usool Pasandana khuddari ka Rang dikha rahe they,*
*❀"_ Ab Sifarate Makka ne Apna Daava pesh kiya k ye Muhajireen hamare bhagode mujrim hai'n, Inhone ek Naya Deen Ghad liya hai aur ek Takhribi Toofan utha khada kiya hai, Lihaza inko hamare hawale kiya jaye,*
*❀"_Najashi ne Musalmano se puchha k ye kya maamla hai aur iysaiyat aur But Parasti ke Alawa wo konsa Deen hai jo tum Logo'n ne Akhtyar kiya hai, Hazrat Jaafar Raziyallahu Anhu Musalmano ki taraf se Tarjuman ban kar uthe aur unhone Najashi se ijazat Talab ki k pehle wo Sifarate Makka se Sawalaat kar le'n _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 166,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–113_* ★
*⚂ HIJRAT E HABSHA ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ ijazat milne per Yu'n Mukalma hua, Hazrat Jaafar Raziyallahu Anhu - ""Kya hum kisi ke Gulam hai'n Jo Aaqa se bhaag aaye ho'n ? Agar esa ho to hume Waapas Jana chahiye_,"*
*"_ Amru bin Aas - Nahi, Ye log kisi ke Gulam nahi, Azaad Sharfa hai'n _,"*
*"_ Hazrat Jaafar- Kya hum kisi ko naahaq qatl kar ke aaye hai'n? Agar esa ho to AAP hume Awliya E Maqtool ke Hawale kar de'n _,"*
*"_ Amru bin Aas - Nahi, inhone khoon ka ek qatra bhi nahi bahaya_,"*
*❀"_ Hazrat Jaafar Raziyallahu Anhu - Kya hum kisi ka kuchh maal le kar bhage hai'n, Agar esa ho to hum uski Adaygi karne ko Tayyar hai'n _,"*
*"_ Amru bin Aas - Nahi, inke Zimme kisi ke ek Habba (Kodi) bhi nahi _,"*
*❀"_ is Jirah se jab Musalmano ki Akhlaqi Position poori tarah saaf ho gayi To Hazrat Jaafar Raziyallahu Anhu ne ye Taqreer ki:-*
*❀"_ Ey Badshaah ! Hum log ek Jaahil Qaum they, But Poojte they, Murdaar Khaate they, Badkariya'n karte they, Humsayo Ko Satate they, Bhai Bhai per zulm karta tha, Qavi log Kamzoro ko kha Jaya karte they, isi Asna me humme ek Shakhs paida hua Jiski Sharafat, Sachcha'i aur Dayanat se hum log pehle se Agaah they, Usne humko islam ki Dawat di, aur ye Sikhaya k hum But Parasti chhod de'n, Sach bole'n, Khoo'nrezi se baaz aaye'n, Yateemo ka maal na khaye'n, Humsayo Ko Araam de'n, Afeef Aurto'n per Badnaami ka daag na lagaye'n, Namaz padhe'n, Roze Rakhe'n, Sadqa de'n _,"*
*❀"_ Hum us per imaan laye, Shirk aur But Parasti chhod di aur Tamaam Bure A'amaal se baaz aaye, is Jurm me Hamari Qaum hamari Jaano ki Dushman ho gayi aur Humko majboor karti hai k fir usi gumrahi me lot jaye'n, isliye hum Apna imaan aur Apni jaane le kar Aapki Taraf Bhaag kar aaye hai'n, Agar Hamari Qaum humko watan me rehne deti to hum na nikalte, Ye hai Hamari Rudaad !*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 167,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–114_* ★
*⚂ HIJRAT E HABSHA ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Baat Sachchi ho aur Kehne wala Jazbaat ke Saath use kahe to Laazman wo Asar Karti hai, Najashi jese Khuda se darne Wale Baadshah ka Dil mom ho gaya, Ab wo kehne laga k Zara Us Kitaab ka bhi koi hissa sunao Jo tum logo per utri hai, Chuna'che Hazrat Jaafar Raziyallahu Anhu ne Surah Mariyam ka ek hissa padha,*
*❀"_ Aayate ilaahi ko sun kar Baadshah ke Dil per Riqqat Taari ho gayi, Uski Aa'nkhe naram ho gayi'n, Wo be Akhtyar pukar utha- Khuda ki qasam! Ye kalaam aur Injeel dono ek hi Chiraag ke par to hai'n, balki us per mustzaad ye kaha k Muhammad ﷺ to Wohi Rasool hai'n Jinki khabar Yeesu Maseeh ne di thi, Allah ka shukr hai k mujhe us Rasool ka Zamana mila, Saath hi faisla diya k Muhajireen ko Waapas nahi kiya ja sakta, Kaarwayi khatm ho gayi aur Sifarat Nakaam loti,*
*❀"_ Baad me un Logo'n ne fir Aapas me Mashwara kiya k ek Koshish aur ki jani Chahiye, Najashi Iysaa'i hai aur Agar Hazrat Iysaa ke bare me Musalmano ka Aqeeda darbaar me numaya karaya jaye to mumkin hai k Baadshah ke andar Mazhabi Ta'assub ki Aag bhadak uthe,*
*❀"_ Doosre Din Amru bin Aas fir darbaar me pahu'nche aur Najashi ke kaan bharne ke liye ye ilzaam Tarasha k ye log Hazrat Iysaa Alaihissalam ke bare me bahut kharab Aqeeda rakhte Hai'n, Najashi ne fir Musalmano ko talab kar liya, Unko jab soorate halaat maloom hui to kuchh taraddud hua k Iysaa Alaihissalam ke "ibne Allah" hone ka inkaar karne per Najashi ka Radde Amal na jane kya ho, Lekin Azmiyat ne kaha k Jo Amre Haq hai use Saaf Saaf pesh kar do,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 168,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–115_* ★
*⚂ HIJRAT E HABSHA ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Hazrat Jaafar Raziyallahu Anhu ne Apni Taqreer me kaha k: Hamare paigambar ne bataya hai k Iysaa Alaihissalam khuda ke Bande aur Paigambar hai'n, aur Kalamatullah hai'n, Najashi ne Zameen se ek Tinka uthaya aur kaha k Wallah! Jo tumne kaha hai Iysaa Alaihissalam usse Tinke bhar bhi Zyada nahi hai'n _,"*
*"❀_ Paadri Jo Saazish ka Shikaar aur Rishwat aur Hadaya se musakkhar they, Dil hi Dil me bahut pech v taab kha rahe they, Yaha'n tak k unke Nathno se Saa'ns ki kharkharahat sunayi dene lagi, Najashi ne unki kuchh parwaah nahi ki, Hukm diya k Tamaam Taha'if Waapas kar diye jaye'n, Makka ka Wafad poori tarah na ummeed v khaasir ho kar lota _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 168,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–116_* ★
*⚂ HAZRAT UMAR KA ISLAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ke Islam lane Ka Waqi'a:-*
*❀"_ Tashaddud Ki is Dastaan ka Wo baab Sabse mumtaz hai Jo Umar Raziyallahu Anhu ke Gaiz v Gazab se murattab hua tha, Umar Raziyallahu Anhu 27 ve Saal me they jabki Muhammad ﷺ ka Alam buland hua, islam jald hi Aapke Gharane ne nafooz kar gaya, Aapke Behno'i Saied Raziyallahu Anhu pehle pehal islam laye, Unke Asar se Aapki Behan Fatima Raziyallahu Anha bhi Musalman ho gayi'n _,"*
*❀"_ Khandaan ki ek aur Ba Asar Shakhsiyat Naiem bin Abdullah Raziyallahu Anhu ne bhi Dawate Haq per Labbek kahi, Awwal Awwal unko islam ke is nafooz ka haal Maloom nahi ho saka, Jo'nhi ilm hua To ye Aape Ss bahar ho gaye aur islam lane walo ke Dushman ban gaye, Labina Raziyallahu Anha inke Khandaan ki Kaneez thi'n, inko maarte maarte thak jate to Dam lene ke liye alag hote, fir Taza dam ho kar maarna shuru kar dete, Aakhir ek din Tay kar liya k Kyu'n na Asal Daa'i Haq ﷺ hi per haath Saaf kar liya jaye,*
*❀"_ Wo Talwaar le kar chale, Raaste me Naiem bin Abdullah Raziyallahu Anhu se mudbhed ho gayi, Unhone kaha k pehle Apne Ghar ki khabar lo aur Behan Behno'i se nimat lo, fir kisi aur Taraf Jana, Foran palte aur Behan ke ghar pahu'nche, Wo Qur'an padh rahi thi'n, Aahat hui to Khamosh Ho gayi'n aur Qur'an ke Awraaq chhupa liye,*
*❀"_ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne puchha k ye kya padha ja raha tha, Behan ne taala, kehne lage k mujhe maloom ho chuka hai k tum dono murtad ho chuke ho, ye keh kar Behno'i per toot pade, Behan beech bachaav ke liye aayi'n to unko bhi maara, Unka Jism lahu luhaan ho gaya, lekin Dabdabati Aa'nkho ke saath Azeemat mandana andaz se kehne lagi'n, Umar ! Jo kuchh kar sakte ho, karo ! Lekin islam ab Dil se nahi nikal sakta_,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 168,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–117_* ★
*⚂ HAZRAR UMAR KA ISLAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Ek Khatoon aur Wo bhi Behan, Ek pekare Jazbaat, Jism Zakhmi, Kapde khoon Aalood, Aa'nkho me Aa'nsu aur zuban per ye Azmiyat mandana bol ! Andaza kijiye k islam ne kesi Rooh andar tak paida kar di thi, Umar Raziyallahu Anhu ki Qahiraha Taaqat ne is mazlumana manzar ke saamne haar maan li, Heere ka Jigar Phool ki Patti se kat gaya,*
*"❀_ Farmaya- Jo tum padh rahi thi, mujhe bhi la kar sunao, Wo gayi'n aur Ajzae Qur'an nikaal laayi'n, Jab ye Alfaaz Saamne aaye k "Amanu billahi wa Rasooluhu" to be Akhtyar pukar uthe, "Ash'hadu Alla'ilaha illallahu Wa Ash'hadu Anna Muhammadan Abduhu Wa Rasooluhu," imaan ki daulat se malamaal ho kar Tehreeke Haq ke Markaze khana Arqam ki taraf chale, Waha'n ja kar khuda ke Rasool ﷺ ke haath per Bait ki_,"*
*"❀_ Is Waqia per Musalmano ne maare khushi ka esa naara Takbeer buland kiya k Makka ka Saara mahol goonj utha, Daa'iyane Haq uthe aur Makka me fail gaye, Unhone Mehsoos kiya k unki Quwwat badh gayi hai, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke imaan laate hi Kaaba me pehli martaba Elaaniya Namaz ba Jama'at ki Adaaygi ka silsila shuru hua _,"*
*"❀_ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Makka ke Nojawano me Apne Josh aur zahanat ki vajah se imtiyazi muqam rakhte they, Unka kirdaar ikhlaas se bharpoor tha, Wo Jaahiliyat ke daur me they to poore ikhlaas se Tehreeke islami ke Dushman they na k kisi Zaati Mufaad ki bina per, aur Jab Haqeeqat khul gayi aur Fitrate Salima se parde uth gaye to poori Shane ikhlaas se Tehreeke islami ka jhanda Ou'ncha kar diya,*
*📔 Mohsin E Insaniyat ﷺ- 169,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–118_* ★
*⚂ HAZRAR UMAR KA ISLAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Jesi Shakhsiyat Sachcha'i ke Paigaam per Labbek kahe aur Fir koi naya mudd'a paida na ho, ye kese mumkin tha, Unhone Tahiya kar liya k Ek baar Fiza ko Chellenge kar ke rahenge, Ibne Umar Raziyallahu Anhu ( Jo us waqt ladke they magar Mamlaat ko samajhte they ) ka bayan hai k Mere Waalid Umar Raziyallahu Anhu Jab imaan laye to maloom kiya k Quresh ka konsa Aadmi baat ko Achchhi tarah Nashr kar sakta hai, Unhe Jameel bin Ma'mar Jamhi ka naam bataya gaya, Wo Alal Subeh uske Yaha'n pahu'nche aur Mai'n bhi Saath gaya k dekho kya karte hai'n _,"*
*❀"_ Usse Ja kar kehne lage k Ey Jameel Tumhe maloom hai k Mai'n islam la chuka hu'n aur Muhammad ﷺ ke Deen me dakhil ho gaya hu'n, Wo Apni Chaadar Thaame hue Masjide Haraam ke darwaze per pahu'ncha aur Waha'n gala faad kar Elaan kiya k Ey Giroh Quresh! Suno ! Umar bin Khattab Saabi ho gaya hai, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu bhi pichhe se aa pahu'nche aur unhone pukar kar kaha- galat kehta hai, Mai'n Musalman hua hu'n aur Maine Elaan kiya hai k Ek Allah ke Siva koi ilaa nahi aur Muhammad ﷺ uske Bande aur uske Rasool hai'n,*
*❀"_ Ahle Quresh un per Toot pade, Wo Waalid se khoob lade, aur Waalid unse lade aur isi Haatha paayi me Suraj sar per aa gaya, isi Asna me ek Qureshi Sardaar Yamni Chaadar oadhe hue Namudaar hua, aur usne puchha qissa kya hai ? Usne baat suni aur kaha k is Shakhs ne Apne liye ek Raasta pasand kar liya hai, To Ab tum kya chahte ho ? Socho to Sahi k kya Banu Adi bin Ka'ab Apne Aadmi ko Yu'n tumhare haatho me de sakte hai'n, Chhod do ise, Ye they Aas bin Waa'il, inhone Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko Apni panah me le liya _," ( Seerat ibne Hishaam- 1/370-71)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 172,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–119_* ★
*⚂ HAZRAR UMAR KA ISLAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Iske Saath hi Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke Joshe imaani ne izhaar ka ek Raasta aur bhi nikala, Unhone imaan lane ki pehli hi Raat ko Socha k Rasoole ﷺ ki Mukhalfat me intehayi shiddat se kon hai ? Maloom hua k Abu Jahal se badh kar Sakht koi doosra nahi,*
*"❀_ Subeh hote hi Abu Jahal Ke Yaha'n bhi ja pahu'nche, Darwaza Khatkhataya Abu Jahal nikla aur Khush Aamdeed keh kar mudd'a poochha, Unhone bataya k Mai'n ye ittela dene aaya hu'n k Mai'n Muhammad ﷺ per imaan le aaya hu'n aur Aapke Paigaam ki Sachcha'i ko Tasleem kar chuka hu'n, Abu Jahal ne bhanna kar darwaza band kar liya aur kaha k Khuda ki maar Tujh aur Teri is ittela per _,"*
*"❀_ Teesri taraf Unhone Tehreeke islami ka ek qadam aur aage badha diya, Maar To khayi magar uske jawab me Haram me Alal Elaan Namaz Ada karne ka Agaaz kar diya, Baqaul Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu:- Hum Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke islam lane se pehle is per qaadir na they k Kaaba me Namaz Ada kar sake, Umar Raziyallahu Anhu Musalman hue to Quresh se lad kar Kaaba me Namaz Ada ki aur humne bhi unke Saath Namaz Ada ki _,"*
*❀"_ Ek Taraf Tashaddud ka Wo zor dekhiye aur Doosri Taraf ye Sama mulahiza ho k islam Ke Dushmano me se Behatreen Unsar (Asal Buniyad) ko Chhaa'nt raha tha,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 173,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–120_* ★
*⚂ HAZRAT HAMZA KA ISLAM ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Esa hi Waqia Hazrat Hamza Raziyallahu Anhu ka hai, Makka ka Ye Nojawan Zahanat, Shuja'at aur Asar Ka Maalik tha, Huzoor ﷺ Ke Chachao'n me Se Janab Abu Taalib ke baad Ek Yahi Chacha ese They Jinko ikhtilaf ke Bavjood Aap ﷺ se muhabbat thi, Umr me bhi Sirf Do Teen Baras zyada they aur Hum Umri ki Vajah se Bachpan me Chacha Bhatije Humjoli rahe they _,"*
*"❀_ Ek Din ka Waqi'a hai k Kohe Safa ke Paas Abu Jahal ne Huzoor ﷺ per Dast Darazi ki aur bahut hi Bad Zubani se kaam liya, Huzoor ﷺ ne Sabr se us Aziyat ko Bardasht kiya aur Koi jawab na diya, ittefaq se Abdullah bin Jad'aan Ki Lo'ndi ne ye saara maajra dekha, Hazrat Hamza Shikar per gaye hue they, Kamaan uthaye hue Waapas aaye to Us Lo'ndi ne qissa Sunaya aur kaha k, "Haay Agar Tum khud dekh sakte k Tumhare Bhatije per kya guzri ? Ye Sun kar Hamza Raziyallahu Anhu ki Hamiyat ( Gairat ) jaag uthi,*
*"❀_ Sidhe Quresh Ki Majlis me pahu'nche Jaha'n Abu Jahal betha tha, Haram me ja kar Abu Jahal ke Sar per Kamaan maari aur kaha k kya tumne Muhammad ( ﷺ) ko gaali di thi, Agar esa hai To Mai'n bhi Uske Deen per hu'n aur Jo kuchh wo kehta hai Wohi kuchh Mai'n bhi kehta hu'n, Ab agar himmat hai to mere muqable per aao _,"*
*❀"_ Abu Jahal ki himayat me Bani Makhzoom ka ek Shakhs Majlis se utha magar Abu Jahal ne use Ye keh kar rok diya k Jane do Maine Abu Ammara ke Bhatije ko bahut gandi gaaliya'n di hai, Hazrat Hamza Raziyallahu Anhu islam per dat gaye aur Quresh ne mehsoos kar liya k Rasoole khuda ﷺ ki Quwwat badh gayi hai,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 173,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–121_* ★
*⚂ BOYCOTT AUR NAZAR BANDI ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Dushmanane Haq ye Manzar dekh rahe they k Haq ka Sailaab Aage hi Aage badh raha hai aur Badi Badi Aham Shakhsiyato ko Apni Lapet me le raha hai, Is per unka Bechaini aur badh jati, Muharram 7 Nabvi me Makka ke Tamaam Qaba'il ne mil kar ek Muahida kiya k Khandaan Banu Haashim se Boycott kiya jaye aur koi Shakhs na unse qarabat rakhe na unse Shadi byaah ka Talluq rakhe, na len den kare, na unse mile Jule, aur na khane pine ka koi Samaan un tak pahu'nchne de, Yaha'n tak k Banu Haashim Muhammad (ﷺ) ko hamare Supurd kar de'n aur unko Qatl karne hume haq de de'n _,"*
*"❀_ Qaba'il Daur ke Lihaaz se ye faisla intehayi Sangeen tha aur ek Aakhri Kaarwayi ki No'iyat rakhta tha, Banu Haashim bebas ho kar Sho'ab Abi Taalib me panah lene per majboor ho gaye, Goya poora Khandaan Tehreeke islami ke Daa'i ki Vajah se ek Tarah ki Qaid aur Nazar Bandi me daal diya gaya, is Nazar Bandi ka Daur Taqriban Teen Baras tak Taveel hua, aur is Daur me jo Ahwaal guzre hai'n unko padh kar Patthar bhi pighalne lagta hai_,"*
*"❀_ Darakhto ke Patte chabaye jate rahe, aur Sookhe Chamde ubaal ubaal kar aur Aag per bhoon bhoon kar khaye jate rahe, Haalat ye ho gayi k Banu Haashim ke Masoom Bachche jab bhook ke maare bilakte they to door door tak unki Dard bhari Awaaze jati thi'n, Quresh unki Awaazo ko sunte to maare khushi ke jhoom jhoom jate,*
*"❀_ Naaka Bandi itni Shadeed thi k Ek martaba Hakeem bin Huzaam Raziyallahu Anhu ( Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ke Bhatije) ne kuchh genhu Apne gulam ke haath chori chhipe bheja, Raaste me Abu Jahal ne dekh liya aur genhu chheenne ke darpe hua, ittefaq se Abul Bakhtari bhi aa gaya, uske andar kisi Achchhe insaani jazbe ne karwat li, aur usne Abu Jahal se kaha k chhodo bhi ek Bhatija hai To tum use bhi ab rokte ho _,"*
*❥❥_ Isi Tarah Hisham bin Amru Chori Chhipe kuchh Galla vagera bhej dete they, Yahi Hisham bin Amru is Zalimana Muahide khilaf Daa'i Awwal bane, Pehle ye Zuber bin Abi Umayya ke paas gaye, Usse baat ki k kya tum is baat per khush ho k Tum Khao piyo, Kapda pehno, Shadi Byaah karo aur Tumhare Mamuo'n ka ye haal ho k wo na khareed farokht kar sake, na Shadi Byaah ke Talluqaat qaa'im kar sake, Agar mamla Abul Hakam ibne Hisham ke Mamuo'n aur Nanihal ka hota aur Tumne use ese Muahide ki Dawat di hoti to wo kabhi uski Parwaah na karta,*
*"❀__ Ye Sun kar Zuber ne kaha- "Mai'n kya karu, Mai'n to Akela Aadmi hu'n, Khuda ki Qasam! Agar koi doosra mere Saath hota to Mai'n is Muahide ki mansookhi ke liye uth khada hota aur use khatm kar ke dam leta _," Hisham bin Amru ne kaha k Doosra Saathi to tumhe mil gaya hai, Zuber ne puchha Kon ? Hisham ne kaha - Mai'n!*
*"❀__ Fir Hisham bin Mut'am bin Adi ke paas Pahu'nche aur isi tarah Tehreek ki, Usne bhi Wohi jawab diya, isi tarah Abul Bakhtari aur Zam'a bin Aswad tak pahu'nch kar Hisham ne baat ki,*
*"❀__ Garz Boycott ke Muahide ke khatme ki Tehreek andar hi andar jab kaam kar chuki to in sab Logo'n ne ek jagah beth kar Sceam ye banayi k Sabke Saamne Hisham hi baat chhedega, Chuna'che Hisham ne Baitullah ka Saat baar Tawaf kiya, fir Logo'n ki taraf aaya aur kaha k Makka Walo ! Kya ye zeba hai k Hum khane khaye aur Libaas pehne aur Banu Hashim Bhook se Tadap rahe ho, na wo kuchh khareed sake aur fir usne Apna Azm in Alfaaz me pesh kar diya:- Khuda ki qasam ! Mai'n us waqt Tak na bethunga jab tak k Talluqaat ko Tod dene wali is Zalimana Tehreek ko Chaak na kar lu'n _,"*
*"❀__ Abu Jahal Bhanna kar utha aur Cheekh kar bola, Jhoote ho tum, Khuda ki qasam Tum use chaak nahi kar sakte_," Zam'a bin Aswad ne Abu Jahal ko jawab diya - Tum khuda ki qasam! Sabse badh kar jhoote ho, Ye Muahida maloom hai jis Tareeqe se likha gaya hai hum use pasand nahi karte, Abul Bakhtari bhi bol utha, "_Sach kaha Zam'a ne humko pasand nahi jo kuchh isme likha gaya hai aur na hum isko maante hai'n,*
*"_ Mut'am ne bhi Taa'ied Mazeed ki, Tum dono theek keh rahe ho aur galat kehta hai Jo iske alawa kuchh kehta hai, Hisham ne bhi yahi baat kahi, Aksariyat ko Yu'n Mukhalif pa kar Abu Jahal Apna sa Moo'nh le kar reh gaya, aur Muahida chaak kar diya gaya, Log jab use Kaabe ki Diwaar se utarne lage to ye dekh kar hairaan reh gaye k use Deemak chaat chuki thi, Sirf "Bismika Allahumma" ke Alfaaz Salamat they _,"*
*®- Seerat ibne Hishaam-2/ 29-31,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 175,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–122_* ★
*⚂ GAM KA SAAL ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Daure Nazarbandi Ka khaatma ho gaya aur ek baar fir Khuda Ke Nabi ﷺ Apne Gharane Samet Azaadi Ki Fiza me dakhil hue, Lekin Ab isse bhi Sakht tar Daur ka Agaaz hota hai, Ye Nabuwat ka Daswa Saal tha, is Saal me Awwaleen Saanha Ye pesh aaya k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Waalid ( Aap ﷺ ke Chacha) Abu Taalib ki Wafaat ho gayi, is tarah Wo Ek Zahiri Sahara bhi chhin gaya jo Huzoor ﷺ ko Apne Saya Shafqat me liye hue Dushmano ke Liye poori isteqamat se Aakhir Dam Tak muzahim raha tha,*
*"❀_ Isi Saal Doosra Sadma Huzoor ﷺ ko Hazrat Khadija Raziyallahu Anha ki Rehlat ka uthana pada, Hazrat Khadija Raziyallahu Anha Mahaz Huzoor ﷺ ki Bivi hi na thi'n, Balki Sabiqeen Awwaleen me thi'n, aur Unhone daure Risalat se pehle bhi muwansat v Gam gusari me koi Kasar na chhodi thi aur Awwaleen Wahi ke Nuzool se le kar Aakhri dam Tak Raahe Haq me Huzoor ﷺ ke Saath Sachchi Rafaqat ka Haq ada kar ke dikhla gayi'n,*
*"❀_ Tehreek Haq ki Himayat me maal bhi kharch kiya, Qadam Qadam per Mashware bhi diye aur Dili Jazbe se Ta'awun dikhaya, Baja Tor per kaha gaya hai k "Wo Huzoor ﷺ ke liye Wazeer thi'n _,"*
*"❀_ Ek Taraf to Ek baad ek do Sadme Huzoor ﷺ ko Sehne pade aur Doosri Taraf in Zahiri Saharo ke hat Jane ki vajah se Mukhalfat ka Toofan aur zyada chadhav per aa gaya, Inhi Gam Angez Halaat ki vajah se ye Saal Anduh ya Aamul Huzn ke naam se mosoom hua_,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 176,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–123_* ★
*⚂ GAM KA SAAL ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥-Ab Quresh intehayi Zaleel Harkato per utar aaye, Lo'ndo ko pichhe laga diye jata Jo Shor machate aur Huzoor ﷺ Namaz padhte to wo Taaliya'n peette, Raaste Chalte hue Huzoor ﷺ per galazat Fai'nk di jati, Darwaze ke Saamne Kaa'nte bichhaye jate, Khullam Khulla Gaaliya'n di jati, Fabtiya'n Kasi jati, Aapke Chehre Mubarak per khaak Fai'nki jati, balki baaz Khabees bad Tameezi ki is Aakhri Had tak pahu'nchte k Aapke Rukhe Anwar per Thook dete,*
*❀_"_ Ek baar Abu Lahab ki Bivi Umme Jameel Patthar liye Huzoor ﷺ ki Justju me Haram tak is iraade se aayi k bas ek hi waar me kaam Tamaam kar de, magar Huzoor ﷺ Agarche Haram me Saamne hi mojood they Lekin Khuda ne uski Nigaah ko Rasa'i na di, aur Wo Hazrar Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke Saamne Apne Dil ka Bukhar nikaal kar chali aayi,*
*"❀__ Is Tarah ek baar Abu Jahal ne Patthar se Huzoor ﷺ ko Halaak kar dene ka iraada kiya, aur isi iraade me Huzoor ﷺ tak pahu'ncha bhi, Magar Khuda ne Abu Jahal ko khof v Mar'ubiyat ke ese Aalam me dala k wo kuchh kar na saka,*
*❀_"_ Ek baar Dushmanane Haq bethe yahi Tazkira kar rahe they k is Shakhs ( Muhammad ﷺ) ke maamle me humne Jo kuchh bardasht kiya hai uski Misaal nahi milti, isi dauraan Huzoor ﷺ Tashreef le aaye, Un Logo'n ne dariyaft kiya k kya tum esa kehte ho, Huzoor ﷺ ne poori Akhlaqi Jurr'at se farmaya - Haa'n Mai'n hu'n Jo ye aur Ye Kehta hai! Bas ye Kehna tha k chaaro taraf se dhawa bol diya gaya,*
*❀_ Abdullah bin Amru bin Aas Ka bayan hai k Quresh isse badh kar Huzoor ﷺ ke khilaaf Maine koi Zabardasti nahi dekhi, Halmla Aawar ruk gaye to khuda ke Rasool ﷺ ne fir usi usi Foqul insaani Jurr'at se kaam le kar unko in Alfaaz se mutnabba kiya k "Mai'n tumhare Saamne ye Paigaam laya hu'n k Tum Zibah ho jane wale ho, Yani Zulm ki Chhuri jo Tum mujh per Tez kar rahe ho, Tareekh me kaam karne wala Qanoone Ilaahi bil Aakhir isse khud Tumko Zibah kar dalega, Tumhara Ye zor v iqtidaar Jo zulm ke rukh pad gaya hai, Ye Yaksar Khatm ho jane wala hai,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 177,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–124_* ★
*⚂ GAM KA SAAL ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Hazrat Usman bin Affan Raziyallahu Anhu ek Waqi'a bayan karte hai'n k Nabi Kareem ﷺ Baitullah ka Tawaf kar rahe they, Uqba bin Mu'iet, Abu Jahal aur Umayya bin khalf Hateem me bethe hue they, Jab Huzoor ﷺ unke Saamne se guzrte to wo Kalmaat Bad Zubano per late, Teen baar esa hi hua,*
*❀_"_ Aakhri martaba Huzoor ﷺ ne chehra mutagayyara ke saath kaha k Ba Khuda tum bager iske baaz na aaoge k khuda ka Azaab jald tum per Toot pade _,"*
*❀_"_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Haibate Haq thi k ye Sun kar unme se koi na tha jo Kaa'np na raha ho, Ye Farma kar Huzoor ﷺ Apne ghar ko chale to Hazrat Usman Raziyallahu Anhu aur Doosre log Saath ho liye,*
*"❀__ Is moqe per Huzoor ﷺ ne humse khitaab kar ke farmaya- Tum Logo'n ko Basharat ho, Allah Ta'ala Yaqinan Apne Deen ko Gaalib karega aur Apne kalme ki Takmeel karega, aur Apne Deen ki madad karega, aur ye Log jinhe Tum dekhte ho Allah Ta'ala bahut jald Tumhare haatho se Zibah karayega _,"*
*"❀__ Gor Kijiye k Ba Zaahir kis Angez Mahol me ye Basharat di ja rahi thi aur fir kis Shaan se ye bahut hi jald poori Hui ... Goya Tehreek Haq ne Hatheli per Sarso jama di _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 177,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–125_* ★
*⚂ TAA'IF ME DAWATE HAQ ⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Ek Roz Rasool Akram ﷺ Alal Subeh ghar se nikle aur Khuda ka Paigaam Sunane ke liye Makka ke Mukhtalif Koocho me ghoome fire lekin Wo Ek Din Poora esa Guzra k Aapko Ek Aadmi bhi esa na mila Jo Baat Ko Sunta _,"*
*❀"_ Nayi Sceem ye Akhtyar ki gayi thi k Aap ﷺ ko jab aate dekha jaye To Logo'n ko chahiye k idhar udhar Chhup jaye, Baate Sunne se baat failti hai aur Mukhalfat karne se aur Bahas chhedne se wo aur zyada ubharti hai, Sceem Kamyaab rahi, Jo Log mile bhi Unhone istehza aur Gunda gardi ka Muzahira kiya,*
*"❀_ Us Roz Aap ﷺ poora Din guzaar kar Jab palte to udasi ka ek bhaari bojh Aapke Seene per Lada hua tha, Sakht Thakan thi... Esi ghutan jo kisi ki khair khwahi karne wale ko us Waqt hoti hai k Jiski Wo Khair Khwahi kar raha hu'n, Wohi khud Mohsin Kushi per utar aaye,*
*"❀_ Shayad isi Din se Aapke Dil me ye Rujhan paida ho gaya tha k Ab Makka se bahar nikal kar kaam karna chahiye, Zaid bin Haarisa Ko Saath le kar Sarware Aalam ﷺ Makka se paidal chale aur Raaste me Jo Qaba'il Abaad they un Sabke Saamne khuda ka Paigaam pesh kiya,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 178,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–126_* ★
*⚂_ TAA'IF ME DAWATE HAQ _⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Taa'if ek bada Sar Sabz ilaaqa tha, Pani, Saaya, Khaitiya'n, Bagaat nisbatan Thanda Muqaam, Log bade Khus haal they aur Duniya Parasti me buri tarah Magan, insaan Ek martaba Ma'ashi Khush haali pa le to fir wo khuda faramoshi aur Akhlaqi pasti me door tak badhta chala jata hai, Yahi Haal Ahle Taa'if ka tha, Makka Walo me to fir bhi Mazhabi Sarbarahi aur mulki Qayadat ki zimmedariyo ki vajah se kisi qadar Akhlaqi rakh rakhav ho sakta tha Lekin Taa'if ke Log poori tarah be rukhe Mizaaj ke they, aur fir Sood Khori ne unke Achchhe insaani Ahsasaat ko bilkul maliya met kar diya tha,*
*"❀_ Huzoor ﷺ Goya Makka se Badtar Mahol me Qadam rakh rahe they, Mohsine insaniyat ﷺ Taa'if me pahu'nche to pehle Saqeef ke Sardaaro se Mulaqaat ki, Ye Teen Bhai they, Abd Yalail, Masoud aur Habeeb, inme se ek ke ghar me Quresh ( Bani Jamah) ki ek Aurat thi, is Vajah se Ek Tarah ki Lihaaz daari ki Tawaqqo ho sakti thi,*
*"❀_ Huzoor ﷺ unke Paas ja bethe, Unko Ba Tareeq Ahsan Allah Ta'ala ki taraf bulaya, aur Dawat per Guftgu ki aur unse Aqamat Haq ke kaam me Himayat talab ki, Ab jawab Suniye Jo Teeno ki taraf se milta hai :-*
*"_ Ek bola - Agar Waqa'i Khuda ne hi Tumko bheja hai to bas fir wo Kaaba ka gilaaf nuchwana chahta hai _,"*
*"❀_ Doosra bola - Are Khuda ko Tumhare alawa Risalat ke liye koi aur munasib Aadmi na mil saka_,"*
*"_ Teesra Bola- Khuda ki qasam! Mai'n Tujhse baat bhi nahi karunga, Kyu'nki Agar Tu Apne Kehne ke Mutabiq Waqa'i Allah ka Rasool hai, To fir Tujh jese Aadmi ko jawab dena Sakht khilafe Adab hai, aur Agar Tumne khuda per iftira ( Jhoota ilzam ) baa'ndha hai to Tu is qabil nahi ho sakta k Tumse baat ki jaye _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 179,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–127_* ★
*⚂_ TAA'IF ME DAWATE HAQ _⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥Zehar me bujhe hue Teer they Jo Insaniyat ke Mohsin Ke Seene me pe dar pe pewast hote chale gaye, Aapne Tahammul se Apne Dil per Saare Zakhm seh liye aur unke saamne Aakhri baat ye rakhi k tum Apni ye baate Apne hi tak rakho aur Kam se kam Awaam ko unse mutassir na karo, Magar Unhone Apne Yaha'n ke Ghatiya aur Bazaari Ladko aur Nokro aur Gulamo ko bula kar Aapke pichhe laga diya, k Jao aur us Shakhs ko Basti se nikaal bahar karo,*
*❀"_ Ek Jhund ka Jhund aage pichhe ho liya, ye Log gaaliya'n dete, Shor machate aur patthar maarte they, Huzoor ﷺ jab nidhaal ho jate to beth jate, Lekin Taa'if ke Gunde Aapko Baazu se pakad kar utha dete, aur fir Patthar Takhno per maarte aur Taaliya'n Baja Baja kar ha'nste, khoon be tahasha beh raha tha aur Jootiya'n Mubarak Andar aur bahar se Khoon se bhar gayi'n,*
*"❀_ Is Naadir Tamashe Ko dekhne ke liye bada hujoom ikattha ho gaya, Gundo ka Jhund is Tareeqe se Aapko Shehar se nikaal kar Ek Baag ke Ahaate tak le Aaya, jo Rabi'a ke Beto Uqba aur Sheeba ka tha, Aapne bilkul bedam ho kar Angoor ki ek Bel se tek laga li, Baag ke Maalik Aapko dekh rahe they aur jo kuchh AAP per beeti uska bhi kuchh mushahida kar chuke they,*
*❀"_ Yahi Wo moqa tha jab k Dogana padhne ke baad Aapke ho'nto se ye dard bhari Dua nikli :-*
*"_ ilaahi Apni Quwwat ki kami Apni besaro Samani aur Logo'n ke Muqable me Apni bebasi ki fariyad tujhi se karta hu'n, Tu Sab Raham karne walo se zyada Raham karne wala hai, Dardmanda bekaso ka Parwardigaar tu hi hai, Tu hi Mera Maalik hai, Aakhir Tu mujhe kiske hawale karne wala hai, Kya us Hareef begana ke jo mujhse Turshrui rawa rakhta hai ya Ese Dushman ke jo mere Maamle per qaabu rakhta hai, Lekin Agar mujh per Tera gazab nahi hai to fir mujhe kuchh parwah nahi, Bas Teri Aafiyat mere liye zyada Wus'at rakhti hai, Mai'n is baat ke muqable me Tera gazab mujh per pade ya Tera Azaab mujh per Waarid ho tere hi Noor v Jamaal ki panah talab karta hu'n, Jisse Saari Tareekiya'n Roshan ho jati Hai'n aur Jiske Zariye Deen v Duniya ke Jumla Mamlaat Sa'nwar jate hai'n, Mujhe to Teri Razamandi aur Khushudi ki talab hai, Bajuz Tere Kahi'n se koi Quwwat v Taaqat nahi mil sakti _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 180,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–128_* ★
*⚂_ TAA'IF ME DAWATE HAQ _⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Itne me Baag Ke Maalik bhi aa pahu'nche, Unke Dilo me Hamdardi ke Jazbaat umad aaye they, Unhone Apne Nasrani Gulaam ko pukara, Uska Naam Addaas tha, Fir Ek Tashtari me Angooro ka khosha rakhwa kar bhijwaya, Addaas Angoor pesh kar ke Aan Hazrat ﷺ ke Saamne beth gaya, Aapne haath Angoor ki taraf badhate hi "Bismillah " kaha, Addaas kehne laga - Khuda ki qasam! Is tarah ki baat is Shehar ke log to kabhi nahi kehte _,"*
*❀"_ Aan Hazrat ﷺ ne puchha k Tum kis Shehar ke Aadmi ho aur Tumhara Deen kya hai ? Usne bataya k Mai'n Nasrani hu'n aur Nenwa ka Bashinda hu'n, Aapne farmaya - Tum to Yunus bin Mati jese Marde Saleh ki Basti ke Aadmi ho _, Addaas ne Hairat se puchha- Aapko kese maloom k Yunus bin Mati kon hai ? Aapne kaha- "Wo mera Bhai hai, Wo bhi Nabi tha aur Mai'n bhi Nabi hu'n _,"*
*"❀_ Ye Sunte hi Addaas Aapke Haath Paa'nv ko choomne laga, Rabi'a ke Beto me se ek ne ye Maajra dekha to usne Addaas ke Waapas jane per Malamat ki k ye kya harkat kar rahe they, Tumne Apna Deen kharab kar liya hai, Addaas ne gehre Tassur ke saath jawab diya - Mere Aaqa ! Usse Badh kar Zameen me koi cheez bhali nahi, Us Shakhs ne Mujhe ek esi baat batayi hai Jise Nabi ke Siva koi aur Nahi jaan sakta _,"*
*❀"_ Dar Haqeeqat Ab Janab Abu Taalib ki Wafaat ke baad Makka me Aap Zaahiri Lihaaz se bilku besahara they aur Dushman Sher ho gaye they, Aap ﷺ ne khayal farmaya k Taa'if me se Shayad kuchh Allah ke Bande uth khade ho'n, Waha'n ye Soorat pesh aayi, Waha'n se Fir Aap Nakhla me Qayaam Pazeer rahe, Waha'n se Waapas aaye aur Gaare Hira me Tashreef farma hue, Yaha'n se Mut'am bin Adi ko Paigaam bhijwaya k kya tum mujhe Apni Himayat me le Sakte ho ?*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 180,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–129_* ★
*⚂_ TAA'IF ME DAWATE HAQ _⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Arab Ke Qaumi Kirdaar Ki ek Rivayat ye thi k Himayat Talab karne wale ko Himayat di jati thi, Chahe Wo Dushman hi kyu na ho, Mut'am ne Paigaam Qubool kar liya, Beto ko hukm diya k Hathiyar laga kar Haram me Chalo, Khud Rasulallah ﷺ ko saath laya, aur Makka me aa kar Ou'nt per se Elaan kiya k Maine Muhammad (ﷺ) ko panaah di hai, Mut'am ke Bete Aapko Talwaaro ke saaye me Haram me laye, Fir ghar me pahu'nchaya,*
*"❀_ Taa'if me Huzoor ﷺ per jo kuchh guzri use mushkil hi se Rivayaat ke Alfaaz hum tak muntaqil kar sakte hai'n, Ek baar Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne dariyaft kiya k Ya Rasulallah ﷺ! Kya Aap per Uhad ke din se bhi Sakht din koi guzra hai ?*
*_ Farmaya Teri Qaum ki taraf se aur To Jo Takleefe pahu'nchi so pahu'nchi, magar sabse badh kar Sakht din wo tha jab maine Taa'if me AbdyaLail ke bete ke Saamne Dawat rakhi aur usne usne use Radd kar diya aur is darja sadma hua k Qarne Ash'alib ke muqam tak ja kar ba Mushkil Tabiyat Sambhili _," ( Al Muwahib -1/56)"*
*"❀_ Zaid bin Haarisa Raziyallahu Anhu Jinhone Aap ﷺ ke nidhaal aur behosh ho jane per Taa'if se Kandho per Aapko utha kar Shehar ke bahar pahu'nchaya, Gamzada ho kar arz karne lage k Aap un Logo'n ke liye khuda se Bad Dua kare'n, Farmaya - Mai'n unke liye kyu Bad Dua karu'n, Agar ye log khuda per imaan nahi late to Ummeed hai k inki Nasle Zaroor khuda e Waahid ki parastaar ho'ngi _,"*
*"❀_ Isi Safar me Jibreel Alaihissalam aate hai'n aur ittela dete hai'n k Pahaado Ka incharge farishta Aapki Khidmat me haazir hai, Agar Aap ishara kare'n to wo in pahaado ko Aapas me Mila de jinke Darmiyan Makka aur Taa'if waaqe hai'n, aur Dono Shehro ko pees kar rakh de_,"*
*"❀_ Isi paas Angez fiza me Jinno ki Jama'at aa kar Qur'an sunti hai aur Huzoor ﷺ ke haath per imaan lati hai, isi tarah se khuda ne ye Haqeeqat Waaze ki k Agar Tamaam insaan Dawat haq ko rad kar de'n to Hamari Makhluqaat esi mojood hai'n k Aapka Saath dene ko Tayyar hai'n _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 181,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–130_* ★
*⚂_ _Safar E Mairaaj _⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥ Taa'if Ke Tajurbe ke baad goya Huzoor ﷺ is Aakhri imtihan se guzar gaye, Qanoone Ilaahi ke tahat Naguzer tha k Ab naye daur ke darwaze khul jayenge aur Tulu E Sahar ki Basharat di jaye, Yahi Basharat dene Ke Liye Huzoor ﷺ Ko Mairaaj se Sarfaraz Kiya gaya _,"*
*"❀_ Mairaaj Ki Haqeeqat ye hai k Huzoor ﷺ ko Qurbe ilaahi ka intehayi buland muqam naseeb Kiya gaya, Pichhle Ambiya Alaihissalam ko bhi moqa ba moqa Sharf diya jata raha tha k Wo Gaibi Haqa'iq ka mushahida kare'n, aur Qurbe Khudawandi me pahu'nch kar inayaate khaas se Behrah mand ( khush qismat) ho'n, Qur'an me Jaha'n Ek taraf Ibrahim Alaihissalam ke bare me bataya gaya hai k Unko Malakootus Samawaat wal Ardh ka mushahida karaya gaya, Wahi'n Moosa Alaihissalam Ko Toor per bulaya gaya aur Waha'n Khudawand Ta'ala ne Ek Noor Afgan Darakht ki oat se Kalaam se Sarfaraz farmaya, aur Fir Doosre moqe per ese hi Lamha E Qurb me Shari'at Ke Ahkaam Tafweez ( Supurd ) kiye,*
*❀"_ Goya kisi na kisi Shakl me Mairaaj Jaleelul Qadr Ambiya Alaihissalam ko bhi Haasil hoti rahi thi, Huzoor ﷺ ki Mairaaj Apne andar Shaane Kamaal rakhti hai, Waqia Taa'if aur Hijrat ke Darmiyan is Waqi'e se zyada Aham aur mumtaz Waqi'a koi doosra pesh nahi aaya_,"*
*"❀_ iski Jab ittela Aap ﷺ ne di to Makka bhar me ek Hungama barpa ho gaya, Aapne Majma Aam me Apne Myshahidaat bayan kiye, Baitul Muqaddas ka poora Naqsha kheench diya, Raaste ki esi Qata'i Alamaat batayi'n k Jinki baad me Tasdeeq ho gayi, Us Lamha E Qurb me jo khaas Wahi ki gayi Wahi Surah Bani israail ke unwan se Hamare saamne hai, is Surah ka Agaaz hi Waqia israa ke Tazkire se hota hai aur fir poori Surah me Mairaaj ki Rooh rachi basi hai,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 182,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–131_* ★
*⚂_ HIJRAT- KA -HUKM _⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Taa'if Qareeb tha aur Door Ho Gaya, Yasrib (Madin Munawwara) Door tha Magar Qareeb ho gaya:-*
*"❀_ Yasrib us Roz bilkul qareeb aa gaya Jis Roz ( Nabuwat Ke 11 ve Saal ) 6 inqibabiyo ke Ek Jatthe ne Huzoor ﷺ se Paimano Wafa baa'ndha, Fir Doosre Saal 112 Afraad ne Tehreek islami ki Alambardaar ke liye ba-qa'ida Guft v Shuneed Kar ke pehli Baite Uqba ki Girah baa'ndhi aur islami Toheed aur Akhlaqi Hudood Ke Tahaffuz ki zimmedari Apne Sar li,*
*"❀_ Fir Hajj ke moqe per Ek Badi Jama'at Haazir hui aur usne Raat ki Tareeki me Ek Khufiya Majlis ke Andar Doosri Baite Uqba Mazboot ki Jo poori Tarah Siyasi Rooh se mamlu thi, Isi me Huzoor ﷺ ka Hijrat kar ke Madina Munawwara Jana Tay hua aur is Walihana pesh kash ke Saath Tay hua k Ansare Madina Aapke liye Duniya Jaha'n se ladayi mol lene ko Tayyar hai'n _,"*
*❀"_ Shayad yahi daur .. Safare Taa'if se Hijrat tak.. hai jisme Suraj Yusuf Naazil hui thi aur jisne Hadees digara'n ke parde me Alambardaar Haq ko Basharat di aur uske Mukhalifeen ko unke Ghatiya aur Zalimana Tarze Amal se Agaah kar ke unka Anjam unke Saamne rakh diya,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 183,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–132_* ★
*⚂_ HIJRAT- KA -HUKM _⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Aakhri Bait E Uqba ( Yani Zilhijja 13 baad Baisat) ke baad Rasulullah ﷺ ne Makka ke Musalmano Madina Munawwara Ki Taraf Hijrat kar jane ka hukm de diya aur Farmaya k Allah Az v Jal ne Ab tumhare liye Bhai Paida kar diye hai'n aur Ek Esa Shehar Faraham kar diya hai Jaha'n tum Aman se reh sakte ho _," ( ibne Hishaam- Ba Hawala ibne ishaaq )*
*❀"_ Ye Hukm milte hi Sabse Pehle Hazrat Aamir bin Rabi'a Raziyallahu Anhu Apni Bivi Laila binte Abi Hasma ke Saath nikle, Fir Hazrat Ammar bin Yaasir aur Hazrat Bilaal aur Hazrat Sa'ad bin Abi Waqas Raziyallahu Anhum ne Hijrat ki, Fir Hazrat Usman bin Affan Raziyallahu Anhu ne Apni Ahliya Ruqayya binte Rasulullah ﷺ ke saath rawana hue, Fir Muhajrat ka ek Silsila chal pada aur log pe dar pe is Naye Darul Hijrat ki taraf Jate gaye, Poore Kunbe Apne ghar baar chhod kar nikal khade hue,*
*❀"_ Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko Madina Munawwara bhejne ke Bavjood Aan Hazrat ﷺ ne Apne muqame Dawat ko nahi chhoda, Aap ﷺ hukme ilaahi ke muntazir rahe, Ab koi Musalman bhi Makka me nahi raha tha, Sivaye ese Logo'n ke jinhe Quresh ne rok rakha tha ya ibtila me daal rakha tha, Albatta Khaas Rafeeq me Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu aur Hazrat Ali Raziyallahu Anhu baqi they,*
*❀"_ in Halaat me Quresh ne Andaz kar liya k Ab jabki Musalmano ko ek Thikana mil gaya hai aur ek ek kar ke sab log ja chuke hai'n, Qareeb hai k Muhammad ﷺ bhi haath se nikal Jaye'n aur fir hamare Daayra e Asar se bahar reh Quwwat pakde'n aur Saara pichhla hisaab chuk jaye, Ye Log Makka ke Public Hall darun nadwa me jama hue aur sochne lag gaye k Ab Muhammad ﷺ ke khilaaf kya Kaarwayi ki jaye,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 186,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–133_* ★
*⚂_ HIJRAT- KA -HUKM _⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥ Mukhtalif Raay ke baad Abu Jahal ne Tajveez kiya k Har Qabile se Ek Ek Mazboot aur Mo'azziz Nojawan liya jaye aur Sabko Talware di jaye'n, Fir yakbaargi us Per Hamla kar ke Kaam Tamaam kar de'n, Bas hume is tarah se Chhutti mil sakti hai, is Tareeqe se Muhammad ﷺ ka khoon Tamaam Qaba'il per Taqseem ho jayega aur Banu Abde Munaaf itne saare Qaba'il se badla lene ki Jurr'at na kar sakenge, Bas is Raay per ittefaq ho gaya aur ye Saazisi meeting barkhast ho gayi,*
*❀"_ Isi Meeting ki Kaarwayi per Qur'an ne in Alfaaz me Tabsira kiya:- " Aur Yaad karo us ghadi ko jab Kuffaar Tadbeere kar rahe they k Aapko qaid me daal de'n ya Qatl kar de'n Ya Bahar nikaal de'n, Wo Apni si Tadbeer ladate hai'n aur Allah Jawaban Doosri Tadbeer karta hai aur Allah Tadbeer karne me Sabse badh kar hai _," ( Al Anfaal- 30)*
*❀"_ Aane Wali pur israar Raat Saamne thi, Huzoor ﷺ Apne mehboob Tareen Rafeeq Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke ghar Tashreef le gaye, Ja kar Raazdarana Tareeqe se ittela di k Hijrat ki ijazat aa gayi hai, Janab Siddiq ne Hamraahi ki Darkhwast ki Jo pehle se qubool thi, is Sa'adat ke Husool per Farte Masarrat se Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ki Aa'nkhe Dabdaba gayi'n,*
*❀"_ Unhone Hijrat ke Liye Do Ou'ntniya'n pehle se Khoob Achchhi tarah Farba kar rakhi thi'n Peshkash ki k Huzoor ﷺ dono me se Jise Pasand farmaye'n Hadiya hai, magar Huzoor ﷺ ne ba israar Ek Ou'ntni ( Jiska Naam Jud'a tha ) qeematan li,*
*📔 Mohsin E Insaniyat-ﷺ , 187,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–134_* ★
*⚂_ HIJRAT- KA -HUKM _⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Raat Hui To Huzoor ﷺ Ba Hukme ilaahi Apne makaan per na soye aur Doosre Mehboob Tareen Rafeeq Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko Apne Bistar per bila khof so jane ki Hidayaat farmayi, Saath hi Logo'n Ki Amanate unke Supurd ki k Subeh ko ye Maaliko ko Ada kar di jaye'n, Is Akhlaaq Ki kitni Hi Misaale Tareekh ke Panno me mojood hai'n K Ek Fareeq To Qatl ki Saazish kar raha hai aur Doosra Fareeq Apne Qatilo ko Amanato ki Adaaygi karne Ki Fikr me hai _,"*
*❀_"_ Fir Huzoor ﷺ Hazrat Siddiq Akbar Raziyallahu Anhu ke ghar pahu'nche, Janab Asma binte Abu Bakar Raziyallahu Anha ne Jaldi se Apna Kamar band faada aur Tukde me khane ki Potliya'n baa'ndhi aur Doosre Tukde se Mashkiza ka Moo'nh baa'ndha, Do Musafirane Haq ka Ye Qafila Raat ki Tareeki me Gaamzan ho gaya,*
*❀_"_ Aaj Duniya ka Sabse bada Mohsin v Khair Khwaah ( ﷺ) bager kisi Qusoor ke beghar ho raha tha ! Mohsine insaniyat ﷺ ka Kaleja Kata hoga, Aa'nkhe Dabdaba'i ho'ngi, Jazbaat unde ho'nge, Magar Khuda ki Raza aur Bandgi ka Mission Chu'nki is Qurbani Ka bhi Taalib hua isliye Insaane Kaamil ne Ye Qurbani bhi de di, Aaj Makka ke Paikar se uski Rooh nikal gayi thi, Aaj is Chaman ke Phoolo se Khushbu udi ja rahi thi, Aaj ye Chashma Sookh raha tha, Aaj Uske Andar se Ba Usool aur Sahibe Kirdaar Hastiyo'n ka Aakhri Qafila rawana ho raha tha,*
*❀_"_ Dawate Haq ka Podha Makka ki Sarzameen se uga, Lekin uske Phalo se Daaman bharna Makka walo Ke Naseeb me na tha, Phal Madina Walo Ke hisse me aaye, Saari Duniya ke Hisse me aaye ? Makka Wale Aaj dhakel kar pichhe hataye ja rahe they, aur Madina Walo ke Agli Saf me jagah banayi ja rahi thi, Jo Apne Aapko Ou'ncha rakhte they Unko Pasti me dhakelne ka faisla ho gaya aur Jinko muqablatan nichle darje per rakha jata tha Wohi log utha kar Ouper laye ja rahe they,*
*❀_"_ Huzoor ﷺ ne Aakhri Nigaah daalte hue Makka se ye Khitaab farmaya:- Khuda ki Qasam, Tu Allah Ki Sabse Behatreen Zameen hai, aur Allah Ki Nigaah me Sabse badh kar Mehboob, Agar Yaha'n se mujhe nikala na jata to Mai'n kabhi na nikalta _,"*
*"_ Tirmizi aur Musnad ki Rivayat hai k Makka se nikalte waqt Huzoor ﷺ Hazurah ke muqam per khade hue Baitullah ki taraf rukh kiya aur bade dard ke saath farmaya _," ( Seerat Sarware Aalam - 2/724)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 188,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–135_* ★
*⚂_ HIJRAT- KA -HUKM _⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥"_Chand Lamho baad Huzoor ﷺ Gaare Sor me they, Raasta khud Huzoor ﷺ ne Tajveez farmaya tha aur Abdullah bin Ariqat ko Ujrat de kar guide muqarrar kiya, Teen Roz Aap Gaar me rahe, Abdullah bin Abu Bakar Raziyallahu Anhu Raat ko Makka ki Saari khabre pahu'ncha aate, Aamir bin Fahira ( Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke gulam) Bakriyo'n ka Revad le kar usi taraf nikalte aur Andhera ho jane per Gaar ke Saamne ja pahu'nchte taki dono Muhajir Zarurat ke mutabiq doodh le le'n _,"*
*"❀_ Udhar Quresh ne Huzoor ﷺ ke Makaan ka Muhasra raat bhar rakha aur Poore Shehar ki Nakabandi ka kada intezam bhi kiya, Magar Jab Achanak unko ye maloom hua k Jiski Talash thi wo to nikal gaya hai, To unke Paa'nv tale zameen nikal gayi, Huzoor ﷺ ke bistar per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko pa kar bahut Sitpitaye aur un per gussa nikaal kar chale gaye,*
*"❀_ Talash ke liye Charo taraf Aadmi daudaye, Kuchh pata na chala, Ek Giroh daud dhoop karte hue ain Gaare Sor ke darwaze per aa pahu'ncha, Unke Qadam andar dikhayi dene lage, Kitna Nazuk Tareekhi lamha tha, Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ko Tashveesh hui k Agar ye log Gaar me dakhil ho gaye to Goya poori Tehreek khatre me pad jayegi, Ese Lamhaat me Sahih insaani Fitrat ke andar jesa Ahsaas Paida hona chahiye, Theek esa hi Ahsaas Janab Siddiq ka tha,*
*"❀_ Magar Chu'nki Huzoor ﷺ ke Saath Haq Ta'ala ke Kuchh vaade they aur uski Taraf se Hifazat v Nusrat ki Yaqeen Dahani thi isliye Parda E Gaib ke pichhe tak dekhne wala Dil Jaanta tha k khuda hume Sahih Salamat rakhega, Fir bhi Theek usi Tarah Wahi Sakinat Naazil hui Jese Moosa Alaihissalam per Naazil hui thi, irshad hua - Fikr na karo Allah hamare Saath hai _," ( Tauba- 40)*
*❀"_ Chuna'che aane wala Giroh Gaar ke dahane hi se waapas lot gaya, Teen Roz gaar me rehne ke baad Huzoor ﷺ janab Siddiq Raziyallahu Anhu ke Saath Apne Rehbar aur Aamir bin Fahira ko le kar nikle, Ta'aqqub se bachne ke liye Aam Raasta Chhod kar Saahil ka Lamba Raasta Akhtyar kiya gaya,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 188,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–136_* ★
*⚂_ HIJRAT- KA -HUKM _⚂* ─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Udhar Makka me Elaan kiya gaya k Dono Muhajiro me se kisi ko bhi koi Shakhs qatl kar de ya Giraftaar kar laye uske Liye So Ou'nt ka ina'am hai, log barabar Talash me they,*
*❀"_Suraqa bin Maalik bin J'asham ko Khabar mili k Ese Ese Do Shakhs Saahil ke Raaste per dekhe gaye hai'n, Usne Neza liya aur Ghode per Sawaar ho kar rawana ho gaya, Qareeb aa kar Suraqa jab Tezi se Jhapta to uske Ghode ke Agle Paa'nv Zameen me dha'ns gaye, Suraqa ne Do Teen baar ki Nakaam koshish ke baad Maafi chahi aur Darkhwast ki k ek Tehreer Amaan likh dijiye, Goya usne ye bhi mehsoos kar liya tha k in Hastiyo'n ke Tufel ek Naya Daur Namudaar hone wala hai, Amaan likh di gayi aur Fateh Makka ke Din kaam aayi,*
*"❀_ Isi Moqe per Huzoor ﷺ ne Suraqa ko ek Basharat bhi di k, Ey Suraqa us Waqt Teri kya Shaan hogi jab Tu Kisra ke Kangan pehnega _,"*
*"_ Ye Peshgoi Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke Daur me Fateh Iraan ke moqe per poori Ho gayi,*
*❀"_ Isi Safar me Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu kaarwane Tijarat ke Saath Shaam se Waapas aate hue mulaqi hue, Unhone Huzoor ﷺ aur Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu dono ki khidmat me Safed Libaas Hadiya kiya,*
*"_ Isi Safar me Bureda Aslami bhi Sattar Hamrahiyo ke Saath Saamne aaye, Ye bhi dar Haqeeqat ina'am ke lalach me nikle they, Jab Saamna hua to Bureda ke Dil ki kaaya Palat gayi, Tareefi Guftgu hi me jab Huzoor ﷺ ne ek Kalma Basharat "Tera Hissa nikal aaya" farmaya to Bureda Sattar Saathiyo ke Saath imaan le aaye,*
*"❀_ Fir Bureda Raziyallahu Anhu ne ye Khwahish ki k Huzoor ﷺ Madina me Dakhile ke waqt Aapke aage aage jhanda hona chahiye, Huzoor ﷺ ne Apna Amama Neze per baandh kar Bureda ko diya aur Us Jhande ko lehrate hue ye Qafila Darul Hijrat me Daakhil hua _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 188,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
✍
*❥ Haqq Ka Daayi ❥* http://www.haqqkadaayi.com/
http://haqqkadaayi.blogspot.com
*👆🏻Visit for All updates,*
https://chat.whatsapp.com/DeZ80Gay7LWExbH7ceZOBF
*👆🏻 What's app All Post Ke liye Join Kijiye _,*
https://chat.whatsapp.com/D4YfLWErrkPBnXw23WBf27
*"👆🏻_Sirf Roman Post Ke liye Link se Join Kijiye,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
Post a Comment