0
╭ *๐Ÿ•Œ﷽๐Ÿ•Œ* ╮
http://haqqkadaayi.com
╭┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╮
*▓ R A M Z A N - M A S A 'I L ▓*
╰┅━┅━┅━────━┅━┅━┅╯
            *❂ Roze Ki Niyat ❂*
▦══─────────────══▦
*✾ Behtar ye he k Ramdhan Mubarak ki niyat Subeh Sadiq se pehle kar li jaye,*
*✾ Agar subeh Sadikq se pehle Roza rakhne ka iraada nahi tha, subeh Sadiq ke baad iraada hua k Roza rakh hi lena chahiye to agar subeh Sadiq ke baad kuchh khaya piya nahi to niyat sadiq ke baad karna sahi he,*
*✾ Agar kuchh khaya piya nahi ho to Dopahar se ek ghanta pehle tak ramzan sharif ke roze ki niyat kar sakte hai,*
*✾ Ramzan sharif ke roze me bas itni niyat kar lena kaafi he k aaj mera roza he, ya raat ko niyat karna k subeh roza rakhna he,*
*✾ Roze ke liye sehri khana ba-barkat he k isse din bhar quwwat rehti he, magar ye roza ke sahi hone ke liye shart nahi, Agar kisi ko sehri khane ka moqa nahi mila aur Sehri khaye bina roza rakh liya to bhi sahi he,*
*✾ Ramzan ka roza rakh kar tod diya to Qaza aur Kaffara dono laazim honge,*
*๐Ÿ“˜ Aapke Masail aur Unka Hal, 3/262*
▦══─────────────══▦
        *❂ SEHRI AUR AFTAAR ❂*
▦══─────────────══▦
*★_ Sehri khana Mustahab he aur Baa’ise barkat he, agar na khayi tab bhi Roza ho jayega,*
*★_ Sehri me der, magar ye zaroori he k subeh saadiq se pehle khaya jaye ,*
*"_Aur aftaar me jaldi karna chahiye magar ye zaroori he k din guroob ho Jane ka yaqeen ho jaye tab hi roza khole,*
*★_ Azaan amuman Subeh saadiq ke baad hi hoti he, agar Azaan ke waqt tak khaya piya to roza nahi hoga,*
*⇨Roza kholte waqt niyat shart nahi, Aftaar ke waqt dua mustahab he, bager dua ke roza khol liya to bhi roza sahi he,*
*★_ Aftaar ke waqt Duae’n Qubool hoti he, isliye dua ka zaroor ahatmam karna chahiye,*
*★_ Roza rakhne aur kholne me usool ye he k usi jagah ka etbaar hoga jaha Aadmi us waqt mojood he,*
*⇨ Maslan ek shakhsh India se Sehri karke( roza rakh kar) Saudi Arab gaya to ab Saudi Arab ke guroob ke etbaar se aftaar karna hoga,*
*★_ Airoplane me safar karte waqt jis jagah ki bulandi per plane ud raha he chahe wo 10 hazaar fit ki bulandi per ho aur us bulandi se guroob Aftaab dikh raha ho to roza Aftaar kar lena chahiye,*
*๐Ÿ“˜ Aapke Masail aur unka Hal, 3/266*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
 *❂Kin Vajaho se Roza Tod dena Jaa’iz he ❂*
▦══─────────────══▦
*★_ Agar Rozedar achanak bimaar ho jaye aur Andesha ho k agar Roza na toda to jaan ka khatra he, ya bimaari bad Jane ka khatra he to esi halat me roza Tod dena jaa’iz he,*
*★_ Haamla Aurat ki jaan ko ya bachche ki jaan ko khatra lahak ho jaye to roza Tod dena jaa’iz he,*
*⇨ Sharai uzr ki vajah se tode gaye roze ka kaffara laazim nahi magar Qaza laazim he,*
*⇨ Agar bimari ki vajah se chhote Dino me bhi Qaza karne ki taaqat nahi ho to iske siva koi chara nahi k in rozo ka Fidya Ada kare, Ek din ke roze ka fidya Sadqa e Fitr ke barabar he,*
*๐Ÿ“˜ Aapke Masa'il aur Unka Hal -3/271,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
            *❂ AHAM–BAAT , ❂*
▦══─────────────══▦
*★_ Ramzan Sharif ke roze har Aaqil Balig musalman per Farz he aur bager kisi shara’i uzr ke roza na rakhna Haraam he,*
*★_ Agar na-balig ladka, ladki roza rakhne ki taaqat rakhte ho to Maa - Baap per Zaroori he k unko bhi Roza rakhwaye,*
*★_ Jo bimaar roza rakhne ki taaqat rakhta ho aur roza rakhne se uski bimaari badne ka andesha na ho us per bhi Roza rakhna laazim he,*
*⇨ Baaz log bager uzr ke roza nahi rakhte aur bimaari ya safar ki vajah se Roza chhod dete hai aur baad me qaza bhi nahi rakhte, khastor per Aurto’n ke Jo roze ayyam ( Mahwari ) ki vajah se rah jate hai, unki qaza rakhne me susti ki jati he, ye bahut bada gunaah he,*
*★_ Kaam ki vajah se, imtehan ki vajah se Roza chhod dene ki ijazat nahi,*
*★_ Kisi doosre se apna roza rakhwana jaa’iz nahi,*
*⇨ Jis tarah khana khane se doosre ka pet nahi bharta, isi tarah ek shakhsh ke namaz padane aur roza rakhne se doosre ke zimme ka Farz Ada nahi hota,*
*๐Ÿ“˜ Aapke Masqil aur Unka Hal,3/273*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*❂Wo Cheeze Jinse Roza Faasid Ho gaya ❂*
▦══─────────────══▦
*★_1- Kaan aur Naak me is tarah Dava daalna k halaq tak pahunch jaye,*
*★_ 2- Qasdan (Jaan bujhkar) moonh bharkar Kai karna ya moonh bharkar aane ke baad kuchh hissa qasdan lota Lena,*
*★_ 3-Kulli karte hue halaq me paani ka chala Jana, (us waqt Roza bhi yaad ho )*
*★_ 4- Aurat ko chhoone vagera se inzaal ho Jana,*
*★_ 5- Lobaan ya Oad ka dhunwa qasdan naak ya halaq me pahunchana, Bidi, hukka pina isi hukm me he,*
*★_ 6-Bhoolkar kha pi liya aur khayal kiya k isse Roza toot gaya hoga, fir qasdan kha liya,*
*★_ 7- Raat samajhkar subeh sadiq ke baad Sahri kha Lena,*
*★_ 8- Din Baqi tha magar galti se ye samjha k Aaftaab guroob ho gaya he, Aftaar kar liya,*
*★_ 9- Koi esi cheez nigal Jana Jo Aadtan khayi nahi jati, Jese lakdi, loha, kachcha gehu ka daana vagera,*
▦══─────────────══▦
*❂ Wo Cheeze Jinse Roza to Nahi Tootta Magar Makrooh ho Jata he ❂*
▦══─────────────══▦
*★_1- Bila zarurat kisi cheez ko chabana, Namak vagera chakh kar thook dena, Tooth Pest, Manjan ya Koyla se daant saaf karna,*
*★_ 2- Subeh sadiq se pehle Junbi ho gaya fir din bhar haalate janabat me rehna,*
*★_ 3- Fasad khulwana ( Bleeding ) ya kisi ko khoon apna khoon Dena,*
*★ 4-Geebat yani kisi ki peeth pichhe burayi karna,*
*⇨ Geebat har haal me haraam he, Roze me iska gunaah aur bad jata he,*
*★_ 5- Ladna jhagadna, Gaali galoch karna,*
▦══─────────────══▦
 *❂ Wo Cheeze Jinse Roza nahi Tootta aur Na hi Makrooh hota He ❂*
▦══─────────────══▦
*★_ 1- Miswaak karna,*
*★_ 2- Sar ya Munchho per Tel lagana,*
*★ 3- injection ya teeka lagana ya lagwana,*
*★ 4- Aankh me Dava daalna ya Surma lagana,*
*★_ 5- Khushbu lagana,*
*★_ 6- Garmi aur Pyas ki Vajah se Gusl karna,*
*★_ 7- Bhool kar Khaa pi lena,*
*★_ 8- Halaq me bila akhtyar Dhunwa ya makkhi vagera ka chala Jana,*
*★_ 9- Khud ba Khud Kai aa Jana,*
*★ _10 – Sote hue ahatlaam ho Jana,*
*★_ 11- Daanto me khoon aaye magar halaq me nahi jaye, isse Roze me koi khalal nahi aata,*
*★_ 12- Agar Janabat ki haalat me bager gusl kiye Roza ki niyat kar li to Roze me khalal nahi aata,*
*๐Ÿ“˜Fiqhul ibadaat, 327,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
 *❂ Wo Uzr Jinse Roza na Rakhne ki Ijazat hoti he – ❂*
▦══─────────────══▦
*★_ 1- Bimari ki Vajah se Roza rakhne ki taaqat na ho ya marj badne ka khatra ho to Roza na rakhna jaa’iz he, Ramzan ke baad Sahat ho Jane per iski qaza kare,*
*★ 2- Aurat ko hamal ki Vajah se Roze me bachcha ya apni jaan ko nuksaan pahunchne ka andesha ho to Roza na rakhe, baad me qaza kare,*
*★ 3- Jo Aurat apne ya Gair ke bachche ko doodh pilati ho agar Roze ki Vajah se Bachche ko doodh nahi milta ho aur isse bachche ko takleef pahunchti ho to Roza na rakhe, baad me qaza kare,*
*★ 4- Sharai musafir ko ijazat he k wo Roza na rakhe lekin agar takleef na ho to afzal yahi he k haalate safar me bhi Roza rakh le,*
*★ 5- Ba-haalate Roza safar shuru kiya ab uske liye Roza ko pura karna zaruri he,*
*⇨ Agar musafir haalate safar me tha aur subeh sadiq ke baad kuchh khaya piya nahi aur Roze ki niyat bhi nahi ki, Fir zawal se pehle watan ( home ) pahunch gaya, us per laazim he k wo Roza rakh le,*
*★ 6- Kisi ko qatl ki dhamki dekar Roza todne per majboor kiya jaye to uske liye Roza todna jaa’iz he, Baad me qaza kar le,*
 ▦══─────────────══▦
*❂ Roza Rakhne ke Baad Bimaar Ho Gaya, ❂*
*★_ Agar koi shakhs Roza rakhne ke baad is qadar shadeed Bimaar ho jaye k Roza na todne ki soorat me marj ki shiddat ya bad Jane ka khatra ho to Aftaar kar lena jaa’iz he, Baad me qaza waajib he, Kaffara nahi,*
*★_ Agar injection se ilaaj ho sake Dava pilakar Roza todne ki zarurat na ho to Roza todna jaa’iz nahi balki injection hi se ilaaj kare,*
*⚀•Rั”ิฒ:➻┐Fatawa Aalamgeer,1/307*
*๐Ÿ“˜Fiqhul ibadaat, 328,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
      *❂ Mutafarrik Masail ❂*
▦══─────────────══▦
*★_Agar Bhool kar kha liya, ya Kai ho gayi aur ye samajh liya k mera roza Toot gaya aur Kha pee le, to roza Toot gaya aur Qaza wajib he,*
*⇨ lekin ye masla maloom tha k kai se Roza nahi toot ta, ya bhool se kha pee lene se Roza nahi toot ta, iske bavjood kuchh kha pee le to is soorat me uske Zimme kaffara aur Qaza do no laazim honge,*
*★_ Agar khoon halaq me chala gaya to roza Toot jata he,*
*★_ Roze ki haalat me makhsoos jagah me dawa ( medicine) rakhne se Roza Toot jata he,*
*★_ Roza ki haalat me gargara karna aur naak me jor se paani chadana mamnu’a he,*
*★_ Roza ki haalat me ( Bidi )cigarette ya hukka peene se Roza Toot jata he,*
*★_ Sehri khatam hone se pehle koi cheez moonh me rakh kar so gaya,to roza nahi hua,*
*(Chahe jab jaaga to sehri ka time nikal chuka tha, fir moonh ki cheez nikaal kar fek di aur kulli kar li ho )*
*★_ Danto me gosht ka resha ya koi cheez reh gayi thi, aur khud ba khud andar chali gayi, to agar chane ke Dane ke barabar ya usse zyada thi to roza jata raha, aur agar chane ke Dane se kam thi to roza nahi toota,*
*★_ agar bahar se koi cheez daalkar nigal li to chahe thodi ho ya zyada usse roza Toot jata he,*
*★_ kisi aurat ko sirf dekhne se inzaal ho jaye ( mani nikal jaye) to roza nahi toot ta, lekin Gale lagane se, Bosa lene se inzaal ho to roza Toot jata he, sirf Qaza wajib hogi,*
*★_ Agar roze ki haalat me agar koi shakhs haath ke zariye se Mani nikaal de to roza Toot jata he, sirf Qaza laazim he,*
*★_Agar rozadar bhool kar kuchh kha le ya pee le, ( chahe pet bhar ) tab bhi Roza nahi toot ta,*
*★_Ek shakhs ko kuchh khate peete dekha to agar wo is qadar taaqatwar he k Roza se zyada takleef nahi hoti ho to usko roza yaad dilana wajib he,*
*"_Aur agar koi na taaqat ( kamzor ) ho k Roza se takleef hoti ho to usko yaad na dilaye, khane peene de,*
*★_Din me roza ki haalat me so gaye aur neend me esa khwab dekha k nahane ki zarurat ho gayi to roza nahi toota,"*
*★_Din me surma lagana, khushbu sunghna, Tail lagana durust he, isse roza me koi nuksaan nahi aata chahe jis waqt ho,*
*★_Mard, Aurat ka saath letna, haath lagana, Bosa lena ye sab durust he, lekin agar Jawani ka itna josh ho k in baato se sohbat ka dar ho to esa nahi karna chahiye, Roza ki haalat me makrooh he,*
*★_Halaq ke andar Makkhi chali gayi ya Dhua, Gardo gubar chala gaya to roza nahi gaya, albatta agar qasdan ( jaan boojhkar) esa kiya to roza jata raha,*
*★_Loban vagera ki dhooni sulgayi aur fir apne paas rakh kar sungha kiye to roza jata raha, isi tarah hukka peene se bhi Roza jata raha, albatta kewda, gulab ke fool ki khusbu ka sungna jisme dhua na ho, durust he,*
*★_Daa'nto me gosht ka resha ya koi aur cheez atki hui thi, usko khilal kar nikaal kar kha liya, lekin moonh se bahar nahi nikali, aap hi halaq me chali gayi to dekho agar chane se kam he to roza nahi toota, aur chane ke barabar ya usse zyada ho to roza jata raha,*
*⇨ Agar moonh se bahar nikaal liya tha aur uske baad nigal liya to har haal me roza Toot gaya chahe chane ke barabar ho ya kam, zyada ho,*
*★_Agar paan khakar khoob kulli gargara karke moonh saaf kar liya lekin thook ( peek) ki surkhi nahi gayi to usse koi harj nahi roza ho jayega,* ,
*๐Ÿ“˜ Bahishti Zever ,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*★_ Roze ki haalat me thook nigalne se Roza nahi jata, lekin thook ko jamaa karke nigalna makrooh he,*
*★_ injection se Roza nahi toot ta,sirf taaqat ka injection lagana makrooh he, Glucose ke injection ka bhi yahi hukm he,*
*★_ Zabaan se kisi cheez ko zayka chakh kar thook diya to roza nahi toota, magar bina sakht zarurat esa karna makrooh he,*
*★_ Moonh se nikla hua khoon agar thook ke saath nigal gaya to roza Toot gaya, lekin khoon ki miqdaar thook se kam ho aur halaq me khoon ka zaayka mehsoos na ho to roza nahi toota,*
*★_Naak or kaan me dava daalne se Roza Toot jata he lekin Aankh me dava daalne se Roza nahi toot ta,
*★_ Glucose chadane se Roza nahi toot ta basharte k Glucose kisi uzr ki vajah se lagaya jaye, bina uzr Glucose chadana roza ki halat me makrooh he,*
*★_ Khoon dene se Roza nahi toot ta,*
*★_ Roze ki haalat me Toothpaste ka istemal makrooh he, halaki halaq me na jaye to roza nahi toot ta,*
*★_ Roze ki haalat me vaju karte waqt kulli kar ke paani gira dena kaafi he, baar baar thookna fizool harkat he, isi tarah naak ki naram haddi tak paani pahunchane se paani dimaag tak nahi pahunchta is silsile me vaham karna bhi fizool he,*
*★_Zehrile Cheez ke das lene se Roza na to toot ta he aur na hi makrooh hota he,*
*★_ Mirgi ke dore se, behosh ho Jane se Roza nahi toot ta,*

*๐Ÿ“˜Aapke Masail aur unka Hal, 3/285,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*★_ Raat ko nahane ki zarurat ho gayi magar gusl nahi kiya, din ko nahaye to bhi Roza ho gaya, agar din bhar nahi nahaye tab bhi Roza nahi jata, albatta iska( napaaki ka) gunah alag hoga,*
*★_Naak ko itna jor se sudak gaya k halaq me chali gayi, isi tarah moonh ki raal sudak kar nigal Jane se Roza nahi toot ta,
*★_ Moonh me paan dabakar so gaye aur subeh ho Jane per aankh khuli to roza nahi hua, qaza kare kaffara laazim nahi,*
*★_ kulli karte waqt halaq me paani chala gaya aur roza yaad tha, to roza jata raha, qaza wajib he, kaffara laazim nahi,*
*★_ Agar aap hi aap kai ( ulti) ho gayi to roza nahi gaya chahe thodi ho ya zyada, albatta agar apne akhtyar se kai ki aur moonh bhar ke kai hui to roza jata raha aur moonh bhar kar nahi hui to roza nahi gaya,*
*★_Thodi si kai aayi or aate hi aap hi halaq me lot gayi tab bhi Roza nahi toot ta, albatta agar jaan boojhkar lota le to roza Toot jata,*
*๐Ÿ“˜Bahishti Zever,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*★_ Kisi ne kankri ya lohe ka tukda ya koi esi cheez kha li jisko log nahi khaya karte aur na hi koi usko bator dava ke khata he, to uska roza jata raha lekin us per kaffara wajib nahi,*
*⇨Aur esi cheez khayi ya pi li jisko log khate peete ho ya koi esi cheez he k yu to nahi khate lekin bator dava ke zarurat ke waqt khate hai to bhi Roza jata raha aur Qaza or kaffara do no laazim he,*
*★_ Aurat ko Haiz aa gaya ho to usko roza Tod dene se kaffara lazim nahi,*
*⇨ Roza Todne se kaffara jab hi laaZim he jabki Ramzan sharif me roza Tod dale aur Ramzan sharif ke siva aur kisi roza ke todne se kaffara wajib nahi hota chahe jis tarah tode, agarche roza Ramzan ki qaza hi kyu na ho,*
*★_ Kisi ne roza me naas liya, kaan me tail dala ya julaab me amal liya aur peene ki dava nahi pi tab bhi Roza jata raha lekin sirf Qaza wajib he kaffara nahi, Agar kaan me paani dala to roza nahi gaya,*
*★_ Aurto ka roza ki haalat me peshab ki jagah per dava rakhna ya tail vagera koi cheez daalna durust nahi, agar kisi ne dava rakh li to roza jata raha, qaza wajib he kaffara lazim nahi,*
*★_ Apne moonh se chabakar chhote bachche ko koi cheez khilana makrooh he, albatta agar iski zarurat aur majboori v nachari ho to makrooh nahi,*
*★_ Koyla chabakar daant manjna, manjan karna ya toothpaste se karna makrooh he aur agar is me se kuchh halaq me utar jaye to roza jata raha,*
*★_ Miswaak se daant saaf karna durust he, chahe sukhi miswaak ho ya taazi usi waqt ki todi hui, agar neem ki miswaak he aur uska kadapan moonh me maloom hota he tab bhi makrooh nahi,*
*⇨ RamZan ke mahine me agar kisi ka roza Toot gaya to roza Toot Jane ke baad bhi din me kuchh khana peena durust nahi, saara din rozadaro ki tarah rehna wajib he,*
*⚀•Rั”ิฒ:➻┐Bahishti Zever,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
*⇨ Roza rakhkar gunah karne se behtar kya ye na hoga k Roza rakha hi na jaye??*
*★_ Ye baat hikmate shara'i ke khilaf he, shariyat Roza rakhne walo se ye mutalba karti he k wo apne roze ki hifazat kare, aur jab Allah ki raza ke liye khana peena chhod diya he to wo lazzate gunaho se bhi door rahe, aur apne roze ke sawab ko zaaya na kare, magar shari'at ne ye nahi kaha k Jo log gunaho ke murtkab hote hai'n wo roza hi na rakhe,*
*★_ HuZoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne rozedar ko parhez ki bahut hi takeed farmayi he, ek hadees paak me he,k_” bahut se raat me qร yaam karne wale ese hai jinko raat jaagne ke Siva kuchh nahi milta aur bahut se Rozadar ese hai jinko bhookh pyaas ke Siva kuchh nahi milta, ”*
*★_ Ek aur hadees paak me he k,"_Jo shakhs jhoot bole aur galat kaam karne se baaz nahi aata, Allah ta’ala ko uska khana peena chhudane ki koi zarurat nahi, ”*
*⚀•Rั”ิฒ:➻┐Aapke Masa'il aur Unka Hal,3/333* 
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
             *❂ Roze Ki Qaza ❂*
▦══─────────────══▦
*★_ Kisi uzr se Roza qaza ho gaya to jab uzr khatm ho jaye to jald Ada karna chahiye, Zindgi aur taaqat ka bharosa nahi,*
*★_ Qaza Rozo me akhtyar he k lagataar rakhe ya naaga karke rakhe,*
*★_ Musafir safar se lotne ke baad ya mareez tandurast hone ke baad itna waqt na paye jisse qaza shuda Roze Ada kare to Qaza uske zimme laazim nahi,*
*⇨ Safar se lotne ya Bimaari se tandurast ho Jane ke baad jitne din mile un Dino ki qaza laazim he,*
*★_ Baqi Bimaar ko Sahat ke baad itna waqt mila jisse wo Roze qaza Ada kar sakta tha ya Musafir ko safar se waapsi ke baad itna waqt mila jisse wo qaza shuda Roze Ada kar sakta tha lekin Ada nahi kiya aur Bimari bad Jane ki Vajah se ab zindgi ki ummeed nahi rahi to un Dino ke Rozo ki Vasiyat waajib he,*
*®Ba- Hawala— Durre Mukhtar, 2/12,*
*⚀•Rั”ิฒ:➻┐Fiqhul ibadaat, 330,*
▦══─────────────══▦
       *❂ Ayyame Haiz ki Qaza ❂*
▦══─────────────══▦
*★_ Ma’aza Adviya bayan farmati he’n k Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se daryaft kiya k,*
*"_Ye kya baat he k ayyame Haiz me Jo Roze qaza hote he’n unki qaza ki jati he aur Jo Namaze qaza hoti he’n unki qaza nahi padhi jati?*
*"_Ummul momineen Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha ne farmaya k,*
*"_Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke zamane me jab hum isme ( haiz me ) mubtila hote the to humko un Dino me qaza shuda Roze rakhne ka Hukm diya jata tha aur qaza namaz padhne ka Hukm nahi diya jata,*
*® Sahih Muslim,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
 *❂ Kaffara Laazim Hone ki Soorte’n ❂*
▦══─────────────══▦
*★_ 1- Wo shakhs jis per Roza farz hone ki tamaam sharayat payi jati ho, Ramzan ke us Roze jiski niyat subeh sadiq se pehle kar chuka ho, Jaan bujhkar moonh ke zariye pet me koi esi cheez pahunchayi Jo insaan ki davaa ya Giza me istemal hoti hoti ho yani uske istemal se kisi qism ka jismani nafa ya lazzat maqsood ho,*
*★_ 2- Ya koi shakhs Jima’a kare ya karaye ( Jima’a me Aala Tanasul ka dakhil ho Jana kaafi he, Mani ka kharij hona shart nahi )*
*⇨ in soorto me qaza aur Kaffara dono waajib honge, magar shart ye he k Jima’a esi Aurat se kiya jaye Jo Jima’a ke qabil ho,*
*★_ Kaffara ka laazim hona Ramzanul Mubarak ke Roze todne ke saath khaas he, Gair Ramzan ke Rozo me sirf qaza laazim he Kaffara nahi,*
*® Ba-Hawala —Durre Mukhtar, 2/409,*
▦══─────────────══▦
     *❂ Kaffare Ki Miqdaar ❂*
▦══─────────────══▦
*★_ Ramzanul Mubarak ka Roza todna ka kaffara ye he k lagataar 2 mahine ke Roze rakhe,*
*⇨ Thode thode karke Roze rakhna kaafi nahi, Agar kisi vajah se Kaffara ke Rozo ke darmiyan ek do Roze nahi rakhe to ab fir se 2 mahine ke Roze rakhe,*
*⇨ Albatta Jo Roze haiz ki Vajah se reh gaye unke reh Jane ki Vajah se Kaffare ke tasalsul me koi fark nahi padta, Lekin paak hone ke baad foran Roze ( baqi ) shuru kar de aur 60 Roze pure kare,*
*★_ Agar kisi me kaffare ke Rozo ki taaqat nahi ho to 60 miskeeno ko Subeh shaam bhar pet khana khila de, Albatta khayal rahe k un khane walo me bilkul chhote bachche na ho,*
*® Ba- Hawala—- Durre Mukhtar, 2/119*
*⚀•Rั”ิฒ:➻┐Fiqhul ibadaat, 331,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
         *❂ Roze Ka Fidya ❂*
▦══─────────────══▦
*★ _Jisko itna Budapa ho gaya ho k Roze rakhne ki taaqat nahi rahi ya itni Bimaari he k ab achchha hone ki ummeed bhi nahi rahi na hi Roza rakhne ki taaqat he to Roze na rakhe aur har Roze ke badle ek miskeen ko sadqa e fitr ke barabar galla de de ya Subeh shaam pet bhar khana khila de, Shara’a me isko Fidya kehte he’n,*
*★_ Aur galle ke badle me is qadar galle ki qeemat de de tab bhi durust he,*
*★_ Fidya Ramzan se pehle Dena jaa’iz nahi, Ramzan ke Rozo ke Fidye ki raqam Ramzan aane se pehle advance me Dena sahi nahi albatta Ramzan shuru hone ke baad pure Ramzan ke Rozo ka fidya bhi de Sakte he’n,*
*⚀•Rั”ิฒ:➻┐Fiqhul Ibadaat,33,*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
         *❂ A F T A A R I , ❂*
▦══─────────────══▦
*★_ Aaftab ke guroob ho Jane ka yaqeen ho Jane ke baad aftaari me der karna makrooh he,*
*⇨ Haa’n jab Abr ( baadal ) vagera ki Vajah se shubha ho jaye to 2-4 minutes intezar kar lena behtar he,*
*★_ Aur Naqsha me diye gaye waqt se 3 minutes ki ahatyaat baharhal karna chahiye,*
*★ Aftaari ke liye kya cheez behtar he???*
*⇨ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya, k:- “Jab tumme se kisi ka Roza ho to wo Khajoor se aftaar kare, ”*
*®Ravah Ahmad, Abu Daoud, Tirmizi,*
*★_ Agar Khajoor na paye to fir paani hi se aftaar kare, isliye k Allah ta’ala ne paani ko tahoor banaya he,*
*⚀•Rั”ิฒ:➻┐Fiqhul Ibadaat, 334*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
 *❂ RAMZAN KI AAKHRI RAAT , ❂*
▦══─────────────══▦
*★_ Ramdhan me Tauba istagfaar kasrat se kare khaas tor per ”Lailatul Jayza” yani akhri RamZan ki raat,*
*⇨ Eid ki tayyariyo aur fizool kaamo ke bajaye ibaadat me guzaro, iski badi fazilate warid hui hai,*
*★_Eid ul fitar ki shab me ibaadat karna mustahab he, Jesa k Hadees paak me guzra he k Huzoore Akram Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:-*
*” _Ramdhan ke mutallaik meri ummat ko khaas tor per 5 cheeze di gayi hai, Jo pehli ummato ko nahi mili – jinme ek ye he k Ramzan ki Akhri raat me Rozadaro ki magfirat kar di jati he,*
*Sahaba ikram Raziyallahu Anhum ne arz kiya,*
*” kya ye Shabe Magfirat Shabe Qadar hi to nahi,?”"*
*Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya- ” nahi ! balki dastoor ye he k mazdoor ka kaam khatm hote hi uski mazdoori de di jati he,”*
*®Musnad Ahmad, Bayhqi,*
*⚀•Rั”ิฒ:➻┐Tohfa e Ramzan Mubarak, 65,* 
*╟❥ Alhamdulillah Mukammal Hue ◆*
┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
๐Ÿ’• *ส€ั”ฮฑd,า“ฯƒสŸสŸฯƒษฏ ฮฑษณd า“ฯƒส€ษฏฮฑส€d*๐Ÿ’• 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥* http://www.haqqkadaayi.com/
*๐Ÿ‘†๐ŸปVisit for All updates,*
https://chat.whatsapp.com/DeZ80Gay7LWExbH7ceZOBF
*๐Ÿ‘†๐Ÿป What's app Join Karne Ke Liye Link per Click Kar Ke Join likhiye _,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*๐Ÿ‘†๐ŸปTelegram Per Join Link_,*
https://groups.bip.ai/share/YtmpJwGnf7Bt25nr1VqSkyWDKZDcFtXF
*๐Ÿ‘†๐ŸปBip per Join Link_,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
*๐Ÿ‘†๐ŸปSubscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

 
Top