⚂⚂⚂.
▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
*■ MOHSIN E INSANIYAT ﷺ ■*
⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙ ★ *Part–01_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Ek Jhalak :- Ye Chehra ek Jhoote Aadmi Ka Chehra nahi ho Sakta _," ( Abdullah bin Salam Rz)*
*❀__ Duniya me Azeem Kaarname Anjam dene Wali Hastiya'n ( Khususab Ambiya Alaihissalam) Hamesha Gair Mamooli Darje ki Shakhsiyat se Araasta hoti Hai'n, Seerat Paak Ke Mut'ale ki ek Garz ye bhi hai k Mohsine insaniyat Ki Shakhsiyat Ko Samjha jaye, Kisi bhi Shakhsiyat Ko Samajhne me Uski Wajahat bahut badi madad deti hai, Aadmi ka Sarapa uske Badan ki Saakht uske A'aza ka Tanasub Khaas uske zahan aur Akhlaqi aur Jazbaati martabe ka Aa'ina daar hota hai, Khususan chehra Ek esa Qirtaas ( Kagaz) hota hai Jis per insaani Kirdaar aur Kaarnamo ki saari Dastaan likhi hoti hai aur us per ek Nazar daalte hi Hum kisi ke Muqam ka Tasavvur Kar sakte hai'n _,"*
*❀_ Hum baad ke Logo'n Ki Ye Kotaahi E Qismat hai k Duniya ki Sabse badi Shakhsiyat ka Rooe Zeba hamare Saamne nahi hai aur na hum Aalame Waq'a me Sar Ki Aa'nkho se Ziyarat ka Sharf haasil kar sakte hai'n, Hum Huzoor ﷺ ke Husn v Jamaal ki Jo kuchh bhi jhalak pa sakte hai'n wo Huzoor ﷺ ke Paigaam aur Kaarname ke Aa'ine hi me Pa Sakte Hai'n _,"*
*❀_ Huzoor ﷺ ki koi Haqeeqi Shabiya ya Tasveer mojood nahi hai, Khud hi Huzoor ﷺ ne Ummat Ko isse baaz rakha, Kyu'nki Tasveer ka Fitna Shirk se door nahi reh sakta, Huzoor ﷺ ki Agar koi Tasveer mojood hoti to na jane uske Saath kya kya Karamaat aur Aijaaz mansoob ho jate, aur Uske Aijaaz ke liye Kesi kesi Rasme aur Taqreebe Namudaar ho chuki hoti balki Ba'ied na tha k uski Paristish hone lagti _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ , 75* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–02_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Lekin Huzoor ﷺ ke Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne Kam se kam Alfaaz me Huzoor ﷺ ki Shabiya ko murattab kar diya hai aur use mehfooz haalat me Ashaab E Rivayat ne hum tak pahuncha diya hai, Yaha'n hum Us Lafzo Shabiya ko pesh karte hain taki Qara'ien Huzoor ﷺ ke Kirdaar ka mut'ala karne se pehle us Azeem Shakhsiyat ki ek Jhalak dekh le'n, Ye Goya ek no'a ki Mulaqaat hai .. ek taruuf !*
*❀__ Huzoor ﷺ ke Chehra Aqdas, Qad v Qaamat, Khad v Khaal, Chaal Dhaal aur Wajahat ka jo Aks Sadiyo'n ke Pardo se chhan kar hum tak pahuncha hai wo bahar haal ek Esi Shakhsiyat ka Tasavvur dilata hai jo Zahanat, Shuja'at, Sabr v isteqamat, Raasti v Dayanat, Aali zarfi Shakhawat, Farz Shanaasi Waqaar v inksaar aur Fasahat v Balagat jese Ausaaf E Hameeda ka jaama tha, Balki kehna chahiye k Huzoor ﷺ ke Jismani Naqshe me Rooh E Nabuwat ka pur to dekha ja sakta hai, aur Aapki Wajahat khud Aapke Muqaddas martabe ki ek daleel thi _,"*
*❀__ Is moqe per Aapka Ek irshad Yaad aaya, farmaya - Khuda ka Taqwa hi Chehro Ko Roshan karta hai, Nabuwat to imaan v Taqwa ki Mairaaj hai, Nabi ﷺ ka Chehra Mubarak to Noor Afsha'n hona hi chahiye, So ye us Aaftaab E Haq ki Ek Jhalak hai!*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 75,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–03_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥-- Wajahat:-*
*❀_ Maine Jo'nhi Huzoor ﷺ Ko dekha To foran Samajh liya k Aapka chehra Ek Jhoote Aadmi Ka nahi ho sakta _," ( Abdullah bin Salam Rz) Mai'n Apne bete ko saath le kar Haazir hua to Logo'n ne dikhaya k ye hai'n Khuda ke Rasool ! Dekhte hi Mai'ne kaha - Waqa'i Ye Allah Ke Nabi hai'n _," ( Shama'il E Tirmizi)*
*❀__ Abdullah bin Salam Raziyallahu Anhu Yahood ke ek bade Aalim the Jinka naam Husain tha, Sarware Aalam ﷺ ke Madina aane per ye dekhne ko gaye, dekhte hi unko jo Tassur hua, baad me use unhone in Alfaaz me bayan kiya hai, imaan laye aur Abdullah Naam Tajveez hua_," ( Seerat E Mustafa ﷺ, Maulana Muhammad Idrees Kandhalvi - 1/339-350)*
*❀__ Mutma'in raho, maine us Shakhs ka Chehra dekha tha Jo Chohdhvi Raat ke Chaand ki tarah Roshan tha, Wo kabhi tumhare Saath bad maamlagi karne wala Shakhs nahi ho sakta, Agar esa Aadmi ( Ou'nt ki Raqam ) Ada na kare to Mai'n Apne paas se Ada kar dungi _," ( Ek mo'azziz khatoon )*
*❀__ Madina me ek Tijarati Qafila waarid hua aur Shehar se bahar thehra, Huzoor ﷺ ka ittefaqan us taraf guzar hua, Ek Ou'nt ka Sauda kar liya aur ye keh kar Ou'nt saath le aaye k Qeemat bhijwaye deta hu'n, baad me Qafile Walo ko tashveesh hui k bager Jaan pehchan ke maamla kar liya, is per Sardaare Qafile ki khatoon ne mazkoora fiqra kaha, Ye Waqia Tariq bin Abdullah ne bayan kiya Jo khud Shareek Qafila the, baad me Huzoor ﷺ ne Tay Shuda Qeemat se zyada miqdaar me khajoore bhijwa di_," ( Seeratun Nabi ﷺ, Maulana Shibli marhoom - Jild -2 Safa 380)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 76,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–04_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥-- Humne esa khoob ru Shakhs aur nahi dekha ... Humne uske Moo'nh se Roshni si nikalti dekhi hai _," ( Abu Qursafa ki Walda aur khala )*
*❀_"_ Huzoor ﷺ se zyada khoob ru kisi ko nahi dekha, esa lagta Goya Aaftaab chamak raha hai _," ( Abu Huraira Rz)*
*"_ Agar Tum Huzoor ﷺ ko dekhte to Samajhte k Suraj Tulu ho gaya hai _," ( Rabi'a binte Ma'uz )*
*"_ Dekhne wala pehli nazar me mar'oob ho jata _," ( Hazrat Ali Rz)*
*❀__ Mai'n Ek martab Chandni Raat me Huzoor ﷺ ko dekh raha tha Aap us waqt Surkh joda zaib tan kiye hue they, Mai'n kabhi chaand ko dekhta tha aur kabhi Aapko, bil Aakhir Mai'n is faisle per pahu'ncha k Huzoor Akram ﷺ Chaand se Kahi'n zyada Haseen Hai'n _," ( Hazrat Jaabil bin Samrah Rz)*
*❀__ "Khushi me Huzoor ﷺ ka chehra esa chamkta goya Chaand ka tukda hai, usi Chamak ko dekh kar hum Aapki khushi ko pehchan jate they _," ( Ka'ab bin Maalik Rz)*
*"_ Chehre per Chaand ki si Chamaki thi _," ( Hind bin Haala )*
*❀__ Chehra Mubarak :-*
*"_ Badr ki tarah Golayi liye hue _," ( Bar'a bin Aazib Rz)*
*"_ Chehra bilkul gol nahi tha, balki Golayi liye hue _," ( Hazrat Ali Rz)*
*"_ Peshani Qushada, Abru khamdaar, bareek aur gunjaan ( dono juda juda, dono ke Darmiyan me ek rag ka ubhaar jo gussa aane per numaya ho jata _," ( Hind bin Haala)*
*"_ Masarrat Peshani se jhalakti thi _," ( Ka'ab bin Maalik Rz)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 77,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–05_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥---Rangat Mubarak:-*
*❀__ na Choone ki tarah Safedi na Saa'nvlapan _," ( Hazrat Anas Rz)*
*"_ Safed Surkhi maa'il _," ( Hazrat Ali Rz)*
*"_ Safed magar malahat daar _," ( Abul Tufel Rz)*
*"_ Goya k Chaandi se Badan dhula hua tha _," ( Hazrat Abu Huraira Rz)*
*"_ Safed ..... Chamakdaar _," ( Hind bin Abi Haala)*
*❀__ Aa'nkhe Mubarak:-*
*"_ Aa'nkhe Syaah ... Palke daraaz _," ( Hazrat Ali Rz)*
*"_ putliya'n Syaah.. Nazre neechi...gosha Chashm se dekhne ka Hayadaar Andaz _," ( Hind bin Abi Haala)*
*"_ Safed Hisse me Surkh dore .. Aa'nkho k khana lamba.. Qudrati Surmagi _," ( Jaabir bin Samrah Rz)*
*❀__ Naak Mubarak :-*
*"_ Bulandi Maa'il ... Us per Noorani chamak .. jiski vajah se ibtidayi Nazre badi Maloom hoti _," ( Hind bin Abi Haala)*
*❀__ Rukhsar Mubarak:-*
*"_ Hamwaar aur Halke... Niche ko zara sa gosht dhalka hua _," ( Hind bin Abi Haala)*
*❀__ Dahan (Moo'nh) Mubarak:-*
*"_ Faraakh ...! ( Jaabir bin Samrah Rz)*
*"_ Ba aitdaal Faraakh _," ( Hind bin Abi Haala)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 77,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–06_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥-- Dandane Mubarak:-*
*❀__ Bareek.. Aabdaar.. Saamne Ke Daa'nto me khushnuma Rekhe'n _," ( Hazrat ibne Abbas Rz )*
*"_ Takallum farmate to Daa'nto se chamak si nikalti hui _," ( Hazrat Anas Rz)*
*❀__ Resh ( Daadhi Mubarak):-*
*"_ Bharpoor aur gunjaan baal _," ( Hind bin Abi Haala)*
*❀__ Gardan Mubarak:-*
*"_ Patli Lambi... jese moorti ki tarah khoob Surati se tarashi gayi ho.. gardan ki rangat Chaa'ndi jesi Ujli aur khushnuma _," ( Hind bin Abi Haala)*
*❀__ Sar Mubarak ____,*
*"_
*"_ Bada ... Magar aitdaal aur munasbat ke saath _," ( Hind bin Abi Haala)*
*❀__ Baal Mubarak:-*
*"_ Qadre Khamdaar _," ( Hazrat Abu Huraira Rz)*
*"_ Na bilkul sidhe tane hue ... Na zyada pechdaar _," ( Qatada Rz)*
*"_ Bilkul kham liye hue _," ( Hazrat Anas Rz)*
*"_ Gunjaan ...Kabhi Kabhi Kaano ki lo tak lambe, kabhi shaano tak _," ( Bar'a bin Aazib Rz)*
*"_Darmiyan se nikli hui maang _," ( Hind bin Abi Haala)*
*"_ Badan per baal zyada na they ..Seene se Naaf tak baalo ki bareek lakeer _," ( Hazrat Ali Rz, Hind bin Abi Haala)*
*"_ Kandho Baazuo'n aur Seene ke balaa'i hisse per thode se Baal they _," ( Hind bin Abi Haala)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 78,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–07_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥--Majmu'i Dhaa'ncha __,"*
*❀__ Badan gatha hua..A'aza ke jodo ki Haddiya'n badi aur Mazboot _," ( Hind bin Abi Haala)*
*"_ Qad... Na zyada lamba tha na past ! Myana _," ( Hazrat Anas Rz)*
*"_ Qaamat Maa'il Ba Darazi !... majme me ho'n to doosro se Qad nikalta hua Maloom ho _," ( Bar'a bin Aazib Rz)*
*❀___ Pet baahar ko nikla hua na tha _," ( Umme Ma'abad )*
*"_ Duniyavi Ni'amato se behrah Andoz hone walo se Huzoor ﷺ ka jism ( Bavjood Faqro Faqa ke ) Zyada taro taza aur Tawana tha _," ( Al Muqahib - 1/310)*
*"_ Mash'hoor Waqi'a hai k Huzoor ﷺ ne Umra kiya to So Ou'nt ba nafs Nafees Haa'nke aur unme se 63 (Ou'nt) ko Ba Daste Mubarak khud Nahar kiya aur Baqia ko Hazrat Ali ke Supurd kiya _,"*
*❀___ Maine Rasulullah ﷺ se badh kar koi bahadur aur Zor Aawar nahi dekha _," ( ibne Umar Rz)*
*"_ Makka me Rukana Naami Ek Pehalwan tha Jo Akhado me Kustiya'n ladta, Ek Din Huzoor ﷺ kisi Mulhaqa Waadi me usse mile aur Apni Dawat di, Usne Dawat ke liye koi maiyaar Sidq talab kiya, Iske zoq ke peshe nazar Huzoor ﷺ ne Kushti karna pasand kar liya, Teen baar Kushti hui aur Teeno baar Aap ﷺ ne use pachhaad diya, Usi Rukana Pehalwan ke Bete Abu Jaafar Muhammad ki ye Rivayat Haakim ne Mustadrak me li hai, aur Abu Daowd aur Tirmizi ne ise pesh kiya hai aur Bahyqi ne Saied bin Juber ki doosri Rivayat ki hai Jisme aata hai k Huzoor ﷺ ne baaz doosre logo'n ko bhi Kushti me pachhada hai Jinme Ek Abul Aswad Jam'i bhi hai _," ( Al Muqahib -1/302)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 79,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–08_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥-- Kandha aur Seena Mubarak:-*
*❀__ Seena Choda .. Seena aur Pet Hamwaar _," ( Hind bin Abi Haala)*
*"_ Seena Choda _," ( Bar'a bin Aazib Rz)*
*"_ Mo'ndho ka darmiyani Faasla Aam paimane se zyada _," ( Hind bin Abi Haala, Bar'a bin Aazib Rz)*
*"_ Kandho ka darmiyani hissa pur gosht _," ( Hazrat Ali Rz)*
*❀___ Baazu aur Haath Mubarak:-*
*"_ Kalaiya'n daraaz ... Hatheliya'n Faraakh ... Ungliya'n mozo tak daraaz _," ( Hind bin Abi Haala)*
*"_ Resham ka Dabeez ya Bareek koi kapda ya koi aur cheez esi nahi jise maine chhua ho aur Wo Huzoor ﷺ ki Hatheliyo se Zyada Naram v Gudaaz ho _," ( Hazrat Anas Rz)*
*❀___ Qadam Mubarak:-*
*"_ Pindliya'n pur gosht thi'n ...Halki Halki Suti hui ..," ( Jaabir bin Samrah)*
*"_ Hatheliya'n aur Paa'nv pur gosht, Talwe Qadre gehre ... Qadam Chikne k Pani na thehre _," ( Hind bin Abi Haala)*
*"_ Ediyo'n per Gosht bahut Kam _," ( Jaabir bin Samrah)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 80,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–09_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Ek Jaama Lafzi Tasveer:-*
*❀_"_ Yu'n To Huzoor ﷺ ke mutaddid Rafqa ne Huzoor ﷺ ki Shakhsiyat ko Lafzo me pesh kiya hai Lekin Umne Ma'abad ne Jo Tasveer murattab ki hai uska Jawab nahi,*
*❀__ Waadi Hijrat Ka Safar Tay karte hue Musafire Haq Jab Apni Manzil Awwal ( Gare Sor ) se chala to Pehle hi Roz Qaum Khuza'a ki us Nek Nihaad Budhiya ka khema Raah me pada, Huzoor ﷺ aur Aapke Hamrahi pyase they, Faizane Khaas tha k Mariyal si bhooki Bakri ne us lamha waafar miqdaar me doodh diya, Huzoor ﷺ ne bhi piya Hamarahi ne bhi aur kuchh Bach raha _,"*
*❀__ Umme Ma'abad ke shohar ne ghar aa kar doodh dekha to Achambhe se puchha k ye Kaha'n se aaya, Umme Ma'abad ne saara haal bayan kiya, Wo puchhne laga k Achchha us Quresh Nojawan ka Naqsha to bayan karo, Ye Wohi to nahi jiski Tamanna hai, Is per Umme Ma'abad ne Haseen Tareen Alfaaz me Tasveer khee'nchi, Umme Ma'abad ko na to koi Tarruf tha, na kisi tarah ka ta'assub balki Jo kuchh dekha man v An keh diya, Asal Arbi me dekhne ki cheez hai ( Zaadul Ma'ad -1/307) iska Jo Tarjuma Mollif "Rehmatullil Aalameen ﷺ" ne kiya hai usko hum Yaha'n le rahe hai'n _,"*
*❀_"_Jawab me Umme Ma'abad Raziyllahu Anha ne Kaha :- "_ Unka Chehra Noorani tha , Unki Aankhe unki Lambi Palko ke niche chamakti thi, Wo gehri Syaah thi, Unki Awaaz me narmi thi ,Wo darmiyane qad ke they ( Yani chhote qad ke nahi they ) na Bahut zyada lambe they , Unka Kalaam esa tha Jese Kisi ladi me Moti piro diye gaye ho, Baat Karne Ke baad jab Khamosh Hote they to un per Ba Waqaar Sanjeedgi Hoti thi , Apne Saathiyo'n ko Kisi Baat Ka Hukm dete they to Wo jald az jald usko Poora Karte they , Wo Unhe Kisi Baat se rokte they to foran ruk jate they, Wo intehayi Khush Akhlaaq they, Unki Gardan se Noor ki kirne footti thi, Unke Dono Abro mile hue they, Baal Nihayat Syaah they , Wo door se dekhne per Nihayat shandaar aur qareeb se dekhne per Nihayat Haseen v Jameel lagte they, Unki taraf Nazar padti to fir Doosri Taraf hat nahi Sakti thi , Apne Saathiyo'n me wo Sabse zyada Haseen v Jameel aur Ba roab they , Sabse zyada Buland martaba they ,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 80* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–10_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥"_ Libaas :-*
*❀"_ Aadmi Ki Shakhsiyat Ka Waaze izhaar Uske Libaas se bhi hota hai, Uski Waza qata, Qasr v Tol Range maiyaar, Shafa'i aur Ese hi Mukhtalif pehlu bata dete hai'n k Kisi Libaas me mabloos Shakhsiyat Kis Zahan v Kirdaar se Araasta hai, Nabi Akram ﷺ ke Libaas ke bare me Huzoor ﷺ ke Rafqa ne Jo Malumaat di hai'n Wo badi Had tak Huzoor ﷺ Ke Zoq Ko numaya kar deti hai'n _,"*
*❀_ Huzoor ﷺ ne Libaas Ke maamle me Dar Haqeeqat is Aayat ki Amali Sharah Pesh farmayi hai :- ( Tarjuma) Ey Aadam Ki Aulaad ! Humne Tumhare Satar dhaa'nkne Wala aur Tumhe Zeenat dene wala Libaas Tumhare Liye Muqarrar kiya hai, aur Libaas E Taqwa Behatreen Libaas hai _," ( A'araaf - 26)*
*❀_ So Huzoor ﷺ ka Libaas Saatir tha, Zeenat Bakhsh tha aur Taqwa wala tha, isme zarurat ka bhi Lihaaz tha, Akhlaqi Usoolo ki pabandi ka mazhar bhi tha, aur Zoqe Saleem ka Tarjuman bhi, Kibr v Riya se door tha, aur Huzoor ﷺ ko thaat baat se rehna pasand na tha ,*
*❀_ Farmaya - Mai'n to bas Khuda ka Ek Banda hu'n aur Bando ki tarah Libaas pehanta hu'n _," Resham deba aur Hareer Ko Mardo'n ke liye Aapne Haraam qaraar diya, Ek baar Tohfe me Aayi hui Reshmi Qaba pehni aur fir foran iztraab ke saath utaar di _," ( Mishkaat)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 81* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–11_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Tehbabd Kameez aur Amama ki lambayi Chu'nki Alamate Kibr thi aur Ye Tareeqa E Libaas Mutakabbireen me raa'ij tha, isliye isse sakht tanfur (nafrat ) tha, ( Bahut si Rivayaat hai'n, Maslan- Saalim ki Rivayat Apne Waalid se, mindarja Abu Douwd- Nasa'i, ibne Maaja, Libase Shohrat per Waied Az ibne Umar, Mindarja Tirmizi, Ahmad)_,"*
*❀__ Doosri Qaume Khususan Mazhabi Tabqo ke Makhsoos Faishano Ki Taqleed aur Naqali ko bhi Huzoor ﷺ ne mana thehraya _," ( Maslan- Rivayat ibne Umar Mindarja Ahmad v Abu Douwd ) taki Ummat me Apni khudi aur izzat e nafs barqarar rahe, Neez Faishan aur Libaas ki Taqleed Nazriyaat v Kirdaar ki Taqleed paida karne ka sabab na ban sake _,"*
*❀_ Chunache Huzoor ﷺ ne islami Tamaddun ke Tahat Faishon, Adaab aur Saqafat ka ek naya Zoq paida kar diya, Libaas me Mosam se Satar ki hifazat, Saadgi Nazafat v Nafasat aur Waqaar ka Huzoor ﷺ ko khaas Lihaaz tha, Ab hum Huzoor ﷺ ke Libaas per ek nigaah daale :-*
*❀_ Kurta ( Kameez ) bahut pasand tha, Kurte ki Aasteen na tang rakhte they na zyada khuli, Darmiyani Saakht pasand thi, Aasteen kalaa'i aur Haath ke Jod tak pahu'nchti, Safar ke liye Jo kurta pehante uske Daaman aur Aasteen ka Tol zara Kam hota, Kameez ka gireban Seene per hota jise kabhi kabhaar ( Mosam ke taqaze se ) khula bhi rakhte aur isi haalat me namaz padhte _,"*
*❀_ Kurta pehante hue pehle Seedha Haath daalte fir ulta, Rafeeqo ko iski Taleem dete, Dahine haath ki foqiyat aur Achche kaamo ke liye Dahine haath ka istemal Huzoor ﷺ ki sikhayi hui islami Saqafat ki ek Aham Buniyad hai _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 82,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–12_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Umr Bhar Tehbabd ( lungi ) istemal farmaya, Jise Naaf se Zara niche baa'ndhte aur nisf Saaq tak ( Takhno se Zara Ou'ncha ) saamne ka hissa Qadre Zyada jhuka rehta_,"*
*★"_ Pajama ( Salwar) dekha to pasand kiya, Aap ﷺ ke Sahabi pehante they, Ek baar khud khareed farmaya ( ikhtilaaf hai k pehna ya nahi ) aur wo Aapke Tarka me mojood tha, iski kharidari ka qissa Dilchasp hai, Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ko saath liye hue Huzoor ﷺ Bazaar Gaye aur Chaar dirham per pajama khareeda, Bazaar me jins ko tolne ke liye ek khaas Wizaan muqarrar tha, Wazan karane Gaye to usse kaha k ise jhukta hua tolo, Wizaan kehne laga k ye Alfaaz maine kisi aur se kabhi nahi sune _,"*
*★"_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne Tavajjo dilayi, Tum Apne Nabi Paak ko pehchante nahi ? Wo haath choomne ko bada to Aap ﷺ ne roka k ye Ajmiyo ka ( yani Gair Islami) Tareeqa hai, bahar haal wazan karaya aur pajama khareed kar le chale, Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne bade Tajjub se puchha k Aap ise pehnenge ? Tajjub galiban is Bina per hua hoga k ek to Mamool me esi numaya Tabdeeli Ajeeb lagi, doosre pajama Ahle faaras ka pehnawa tha, aur Tashbiha se Huzoor ﷺ ko ijtinab tha ( Hala'nki doosre Tamadduno ke Achhe Ajza ko Huzoor ﷺ Qubool farmate they),*
*"_ Aapne jawab diya - Haa'n pehnunga, Safar me bhi, Hazar me bhi, Din ko bhi Raat ko bhi, Kyu'nki mujhe Hifze Satar ka hukm diya hai aur isse zyada Satar Posh libaas koi nahi _,"*
*®_ Al Muwahib -1/336)"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 82,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–13_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Sar per Amama baa'ndhna khaas pasand tha, Na bahut bhaari hota tha, na Chhota, ek Rivayat ke Lihaaz se , Gaz lambayi hoti thi, Amama ka Shamla balisht bhar zaroor chhodte Jo pichhe ki Jaanib dono Shaano ke darmiyan udas lete, Suraj ki Tapish se bachne ke liye Shamla ko faila kar sar per daal lete, isi tarah mausmi Halaat Taqaza karte to Aakhri pallu thodi ke niche se le kar gardan ke gird lapet bhi lete, Kabhi Amama na hota to kapde ki ek dhajji ( Rumaal ) Patti ki tarah sar se baa'ndh lete, ( Ek raay ye hai k Esa bimari Khususan Sar dard ki haalat me hua )*
*❀_ Amama ko Tel ki chiknayi se bachane ke liye ek khaas kapda ( Arbi naam Qan'a) baalo per istemal karte, Safed ke alawa Zard ( galiban Matela, Khakstar Maa'il ya Satri ) rang ka Amama bhi baa'ndha hai, aur Fateh Makka ke moqe per Syaah bhi istemal farmaya _,"*
*❀_ Amama ke niche kapde ki Topi bhi istemal me rahi, aur use pasand farmaya, Neez Rivayat me hai k Amama ke Saath Topi ka istemal Goya islami Saqafat ka makhsoos tarz tha aur ise Aap ﷺ ne mushrikeen ke muqable per imtiyazi Faishon qarar diya _,"*
*❀_ Amama ke alawa kabhi Khali Safed Topi bhi odhte, ghar me odhne ki Topi Sar se Chipti hui hoti, Safar per nikalte to uthi Hui baad wali Topi istemal farmate, Sozni numa Sile hue kapde ki Dabeez Topi bhi pehni hai _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 83,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–14_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Odhne ki Chaadar 4 gaz lambi Sawa 2 gaz chodi hoti thi, Kabhi lapet lete kabhi ek pallu sidhe bagal se nikaal kar ulte kandhe per daal lete, Yahi Chaadar kabhi kabhaar bethe hue taango ke gird lapet lete aur baaz moqo per ise Teh kar ke Takiya bhi bana lete, Mo'azziz Mulaqatiyo ki Tawazo ke liye Chaadar utaar kar bichha bhi dete, Yaman ki Chaadar jise Jabrah kaha jata tha bahut pasand thi, Ek martaba Huzoor ﷺ ke liye Syaah Chaadar ( galiban baalo ki ) bhi banwayi gayi use odha to pasine ki vajah se bu dene lagi, Chunache Nazafat ki vajah se fir use nahi odha _,"*
*❀_ Naya kapda khuda ki Hamd aur Shukr ke saath bil umoom Juma ke Roz pehante, Faazil Jode banwa kar nahi rakhte they, Kapdo me pewand lagate they, Unki marammat karte, Ahatyaatan ghar me dekh lete k majme me bethne ki vajah se ( majalis aur Namazo ke mele kuchele log bhi aate they aur Safai ka Aam maiyaar bhi Aap ﷺ hi ne musalsal Tarbiyat kar kar ke barso me buland kiya ) koi Ju vagera na aa ghusi ho,*
*❀_ Jaha'n ek taraf Faqr v Saadgi ki wo Shan thi, Waha'n doosri taraf Aapko rehbaniyat ko mana bhi karna tha aur is usool ka muzahira bhi matloob tha k Allah Ta'ala ko ye baat pasand hai k uski ata karda Ni'amat ( Rizq ) ka Asar uske bando se Zaahir ho _," Mukhtasar ye k Mamool aam Saadgi tha, So Huzoor ﷺ ne kabhi kabhaar Achchha Libaas bhi Zaib Badan farmaya, Aap ﷺ ka maslak aitdaal tha aur inteha pasandi se ummat ko bachana matloob tha _,"*
*❀_ Kapdo ke liye sabse badh kar Safed rang margoob khaatir tha, Farmaya - Haq ye hai k Tumhare liye Masjido me bhi Allah ke Saamne jane ka Behatreen Libaas Safed Libaas ho _," ( Abu Douwd, ibne Maaja)*
*"_ Farmaya - Safed Kapde pehna karo aur Safed hi kapde se Apne Murdo'n Ko kafan do Kyu'nki ye Zyada Pakiza aur Pasandida hai'n _," ( Ahmad, Tirmizi, Nasa'i, ibne Maaja)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 83,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–15_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Safed Ke Baad Sabz rang Pasandida tha, Lekin bil umoom is Shakl me k halki Sabz Dhariya'n ho'n, is tarah Khaalis Surkh rang bahut hi Napasand tha ( Libaas ke Alawa bhi iske istemal ko baaz soorto me mana farmaya ) Lekin Halke Surkh rang ki Dhariyo'n wale kapde Aap ﷺ ne pehne, Halka zard ( Matiyala ya Shatri ) rang bhi Libaas me dekha gaya _,"*
*❀_ Huzoor ﷺ ka Joota maruja Arbi Tamaddun ke mutabiq chappal ya khada'u ki si shakl ka tha, Jiske Do Tashme they, Ek Anguthe aur Saath wali ungli ke Darmiyan rehta, Doosra Chhungliya'n aur uske saath wali ungli ke beech me, Joote per baal na hote they, Ye Ek Baalisht lamba 2 ungal lamba tha, Talwe ke paas se Saat ungal choda aur dono Tasmo ke Darmiyan pahu'nche per se Do ungal ka Faasla tha,*
*❀__ Kabhi Khade ho kar pehante, Kabhi beth kar bhi, Pehante hue Daaya'n Paa'nv daalte fir Baaya'n aur utaarte hue Pehle Baaya'n Paa'nv nikaalte fir Daaya'n,*
*❀__ Jurabe aur moze bhi istemal me rahe, Saada aur mamooli bhi aur Aala Qism ke bhi, Shaah Najashi ne Syaah rang ke Saada moze Bator Tohfa bheje they, Unhe pehna aur un per masah farmaya, Dahiya Kalbi ne bhi moze Tohfe me pesh kiye they, Unko Aapne ghutne tak istemal farmaya,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 83,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–16_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Chaa'ndi Ki Anguthi bhi istemal farmayi, Jisme Kabhi Chaa'ndi ka Nagina hota tha kabhi Habshi Patthar ka, Baaz Rivayaat me aata hai k Lohe ki Anguthi per Chaa'ndi ka Pattar ya Polish Chadha hua tha, Doosri taraf ye Waaze hai k Lohe ki Anguthi ( aur Zever ) Se Aapne karahat farmayi hai _,"*
*❀__ Anguthi bil umoom Daahine haath me pehni, Kabhi kabhaar Baa'nye me bhi, Darmiyani aur Shahadat ki ungli me na pehante, Chhungliya'n me pehanna pasand tha, Nagina ouper ki taraf rakhne ki bajaye Hatheli ki taraf rakhte, Anguthi per "Muhammad Rasulallah" ke Alfaaz Tarteeb vaar neeche se ouper ko teen Sataro me Kundhe they, isse Huzoor ﷺ Khutoot per muhar lagate they _,"*
*❀__ Muhaqqiqeen Ki ye Raay Qareen Sahat hai k Anguthi Muhar ki Zarurat se banwayi thi, aur Siyasi Mansab Ki Vajah se iska istemal Zaroori tha,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 85,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–17_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Waza Qata aur Aara'ish :-*
*❀_ Huzoor ﷺ Apne Baal bahut Saliqe se rakhte, Unme kasrat se tel ka istemal farmate, Kangha karte, maa'ng nikaalte, Labo ke zaaid baal tarashne ka ahatmam tha, is maamle me Rafqa ko Tarbiyat dete, Maslan- ek Sahabi ko paraganda dekha to giraft farmayi, Ek Sahabi ki Daadhi ke bedhap baal dekh kar farmaya k inko Sa'nwaar kar rakho _,"*
*❀_ Farmaya k Jo Shakhs Sar ya Daadhi ke baal rakhta ho use chahiye k unko Saliqe aur Sha'istgi se rakhe, Maslan-Abu Qatada Ko khitaab karte hue Farmaya- inko Sa'nwaar ke rakho _," ( Rivayat Abu Huraira - Abu Douwd)*
*❀_ Ye Takeede Huzoor ﷺ ne isliye farmayi'n thi'n k basa Awqaat Mazhabi log Safayi aur Sha'istgi ke Taqazo se Gaafil ho jate hai'n, Khususan Range Tasawwuf jab badhta hai aur Rehbaniyat ubharti hai to galeez aur Gair Sha'ista rehna ulu murattab ki daleel ban jata hai, is khatre ka sadbaab farmaya,*
*❀_ Safar v Hazar me Saat Cheeze Hamesha Saath rehti aur Bistar ke qareeb - (1) Tel ki Shishi (2) Kangha ( Haathi Daa'nt ka bhi ) (3) Surmadani ( Syaah rang ki ) (4) Qaichi (5) Miswaak (6) Aa'ina (7) Lakdi ki ek patli khapachchi _,"*
*❀_ Surma raat ko sote hue ( taki zyada numaya na ho ) Teen Teen Salayi dono Aa'nkho me lagate, Aakhir Shab me hajaat se faarig ho kar wazu karte libaas talab farmate aur khushbu lagate, Rehaan ki khushbu pasand thi, Mehndi ke Fool bhi bheeni khushbu ki vajah se margoob they, mushk aur Oad ki khushbu sabse badh kar Pasandida rahi, Ghar me khushbudaar dhooni liya karte, Ek Atar daan tha jisme Behatreen khushbu mojood rehti aur istemal me aati _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 85,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–18_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Kabhi Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Apne Daste Mubarak se khushbu lagati, Mash'hoor baat hai k Aap Jis Kooche se guzar jate they, Der tak usme Mahak rehti thi aur Fizae'n batati thi k "Guzar gaya hai idhar se Kaarwa'ne Bahaar _",*
*❀_ Khushbu Hadiya ki jati to zaroor Qubool farmate aur koi agar Khushbu Hadiya lene me tammul karta to Napasand farmate, islami Saqafat ke Makhsoos Zoq ke maathat Aapne Mardo'n ke liye esi khushbu pasand farmayi Jiska Rang makhfi rahe aur Mahak faile aur Aurto'n ke liye wo Jiska Rang Numaya ho Mahak makhfi rahe,*
*❀_ Huzoor ﷺ ki chaal Azmat v Waqaar, Sharafat aur Ahsaase Zimmedari ki Tarjuman thi, Chalte to Mazbooti se qasam jama kar chalte, Dheele Dhaale Tareeqe se Qadam ghaseet kar nahi, Badan Simta hua rehta, Daa'nye Baa'nye dekhe bager chalte, Quwwat se aage ko Qadam uthate, Qaamat me aage ki taraf Qadre jhukaav hota, Esa maloom hota k Ou'nchai se niche ko utar rahe hai'n, Hind bin Haala ke Alfaaz me hai k Goya Zameen Aap ﷺ ki raftaar ke saath lipti ja rahi hai _,"*
*❀_ Raftaar Tez hoti, Qadam khule khule rakhte, Aap ﷺ mamooli raftaar se chalte magar Ba Qaul Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu, "Hum mushkil se saath de paate, Huzoor ﷺ ki raftaar ye Paigaam bhi deti jati thi k Zameen per ghamand ki chaal na chalo, ( Surah Luqman -18, Aur na zameen me Akad kar chal )*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 86,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–19_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Takallum:-*
*"❀_ Takallum insaan ke imaan kirdaar aur martabe ko poori tarah be naqab kar deta hai, Mozu'aat aur Alfaaz ka intikhab, Fiqro ki Saakht, Awaaz ka utaar chadaav Lehje ka usloob aur bayan ka zor ye saari Cheeze Waaze karti hai'n k Mutakallim kis paye ki Shakhsiyat Ka Alam bardaar hai,*
*❀_ Huzoor ﷺ ke Mansab aur Zimmedariyo ki no'iyat esi thi k unka bhaari bojh Agar kisi Doosri Shakhsiyat per daala gaya hota to wo Tafakkuraat me doob kar reh jata aur khilwat mehboob ho jati, Lekin Huzoor ﷺ ke kamalaat E khaas me ye baat bhi Shamil hai k Ek Taraf Aap Tafakkuraat aur Masa'il ka pahaad uthaye hue they aur tarah tarah ki Pareshaniyo se guzarte, lekin Doosri taraf logo'n me khoob ghulna milna bhi rehta aur Din Raat guftgu ka daur chalta, Mizaaj ki Sanjeedgi Apni jagah thi aur Tabassum v Mazah apni jagah,*
*❀_ Izdaad me Ajeeb Tawazan tha Jiski Mazhar Huzoor ﷺ ki zaat thi, Ek Aalami Tehreek ki Zimmedari ek Saltanat ke Masa'il ek Jama'at aur Ma'ashre ke mamlaat aur fir Apne khaase bade kunbe ki zimmedariya Achchha khaasa pahaad thi'n, Jinhe Huzoor ﷺ ke kandhe uthaye hue they,*
*❀_ Chunache Hasan Raziyallahu Anhu Apne Mamu Hind bin Abi Haala ke hawale se batate hai'n k _ Allah ke Rasool ﷺ mutawatar Pareshaniyo me rehte, Hamesha Masa'il per gor karte, kabhi Aap ﷺ ko be fikri ka koi lamha na mila, Der tak khamosh rehte aur bila Zarurat fizool baat cheet na karte _," ( Shama'il Tirmizi)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 87,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–20_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Lekin Aap Ek Daa'i they, aur Ek Tehreek ke Sarbarah, isliye Tableeg v Taleem aur Tazkiya aur Siyaasi intezam chalane ke Liye Logo'n se Raabta zaroori tha Jiske Liye Sabse Aham Zariya Takallum hai, Lihaza Doosri Soorate Haal Hazrat Zaid bin Saabit Raziyallahu Anhu ke Alfaaz me Yu'n rehti k, Jab Hum Duniyavi Mamlaat ka Zikr kar rahe hote to Huzoor ﷺ bhi is Zikr me hissa lete, Jab Hum Aakhirat per guftgu karte to Huzoor ﷺ bhi hamare Saath is mozu per Takallum farmate, aur Jab Hum log Khane Peene ki koi baat chhedte to Huzoor ﷺ bhi usme Shamil rahe _," ( Shama'il Tirmizi)*
*❀_ Iske Bavjood Aap ﷺ ne khuda ki qasam kha kar ye Usooli Haqeeqat bayan farmayi k Meri Zubaan se Haq ke ma Siva koi baat Ada nahi hoti, Qur'an ne bhi is baat ki gawahi di, Yani Aan Hazrat ﷺ Apni khwahish E Nafs se Shara'i Ahkaam nahi dete they _,"*
*❀_ Guftgu me Alfaaz itne thehar kar Ada karte k Sunne wala Asaani se Yaad kar leta balki Alfaaz Saath Saath gine ja sakte they, Umme Ma'abad ne kya Khoob Tareef bayan ki k Guftgu jese Motiyo'n ki Ladi piroyi hui, Alfaaz na Zarurat se kam na zyada...na kotaah Sukhan na Taveel go, Takeed, Tafheem aur Tasalsul Hifz ke liye khaas Alfaaz aur Kalmaat ko teen baar dohrate,*
*❀_ Baaz Umoor me Tasreeh se baat karna munasib na Samajhte to Kanaya ( ishare ) me farmate, Makrooh aur Fahash aur Gair hayadarana kalmaat se Tanffuz ( Nafrat) tha, Guftgu me bil umoom ek muskurahat shamil rehti, Abdullah bin Haaris ka bayan hai k, Mai'ne Huzoor ﷺ se zyada kisi Ko muskurate nahi dekha _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 87,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–21_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Baat Karte hue baar baar Aasman ki taraf dekhte, Guftgu ke dauraan me kisi baat per zor dene ke liye Tek se uth kar Seedhe bethte aur khaas Jumlo ko baar baar dohrate, Hazireen ko kisi baat se darate to Takallum ke saath Saath zameen per haath maarte, Baat Ki Wazahat ke liye Haatho aur Ungliyo'n ke ishraat se madad lete, Maslan- Do Cheezo ka ikatttha hona Waaze karne ke liye Shahadat ki ungli aur beech ki ungli ko mila kar dikhate _,"*
*❀_ Kabhi dono Haatho ki Ungliyo'n ko baaham digar Aar paar kar ke Mazbooti ya Jami'at ka mafhoom numaya karte, Kisi cheez ya Simt me ishara karna hota to poora haath harkat me laate, kabhi Tek lagaye hue Aham Mamlaat per baat karte to seedhe haath ko ulte haath ki pusht per rakh kar Ungliyo'n me Ungliya'n daal lete,*
*❀_ Tajjub ke moqo per Hatheli ko ulat dete, kabhi seedhe haath ki Hatheli ulte haath ke Anguthe ke andruni hisse per maarte, kabhi sar hilaate aur ho'nto'n ko Daa'nto se dabate, Kabhi haath ko raan per maarte,*
*❀_ Huzoor ﷺ ke Kalaam ka Jaha'n Adabi maiyaar bahut buland tha, Waha'n Aam faham Saadgi bhi thi aur fir Kamaal ye k kabhi koi ghatiya aur Bazaru lafz istemal me nahi liya aur na kabhi masnu'i tarz ki zuban pasand farmayi, kehna chahiye k Huzoor ﷺ ne Apni Dawat aur mission ki zaruriyaat se khud Apni ek Zuban paida farmayi thi, Ek usloob bayan tha,*
*❀_ Ek martaba Banu Fahad ke log aaye to Guftgu hoti rahi, jiske dauraan me aane walo ne Tajjub se kaha - Ey Allah ke Nabi ! Hum Aap ek hi Maa'n Baap ki Aulaad hai'n, Ek hi muqaam me parwarish pate hai'n, Fir ye kya baat hai k Aap esi Arbi me baat karte hai'n k Jis ( ki latafato ) ko humme se aksar nahi samajh sakte ? Farmaya aur khoob farmaya, "Meri Lisaani Tarbiyat khud Allah Az v Jal ne farmayi hai, aur mere Zoq E Adab ko khushtar bana diya, Neez maine Qabila Sa'ad ki Fasahat Aamooz Fiza me Parwarish payi hai _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 88,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–22_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Ek moqe per Kisi mulaqati se baat Hui, Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Tajjub se sun rahe they, puchha us Shakhs ne Aapse kya kaha aur Aapne kya farmaya ? Huzoor ﷺ ne Wazahat ki, is per Janab Siddiq kehne lage - Mai'n Arab me ghooma fira hu'n aur fusha E Arab ka Kalaam suna hai, Lekin Aapse badh kar Kalaam Faseeh kisi aur se nahi suna _,"*
*❀_ isi tarah Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ek baar kehne lage- Ey Allah ke Rasool ﷺ! Kya baat hai k Aap Fasahat me hum sabse baala tar hai'n, Hala'nki Aap humse kabhi alag nahi hue_," Farmaya - "_Meri Zuban Ismaiel Alaihissalam ki Zuban hai Jise Maine khaas tor se Seekha hai, ise Jibrail mujh tak laye aur mere Zahan Nasheen kar di _,"*
*❀_ Matlab ye hai k Huzoor ﷺ ki Zuban Mamooli Arbi na thi, Balki khaas Paigambarana Zuban thi Jiska Jod Ismaili Zuban se milta tha aur Jibrail Alaihissalam jis Zuban me Qur'an laate they Wo bhi Wahi Paigambarana Zuban thi,*
*❀_ Huzoor ﷺ ki imtiyazi Shaan ye thi k Aapko "Jawam'ul Kalam" ata kiye gaye they, Yani Huzoor ﷺ ke wo Mukhtasar kalme Jo ma'ani ke Lihaaz se badi wus'at rakhte Hai'n, Kam se kam Lafzo me Zyada se Zyada ma'ani pesh karne me Sarware Aalam ﷺ Apni misaal Aap they aur ise khususi Atayate Rab me Shumar kiya _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 89* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–23_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Khitabat :-*
*❀__ Wa'az v Takallum hi ka ek Aham juz khitabat hai, Mohsin E Insaniyat ﷺ ek Azeem Paigaam ke haamil they, aur iske liye Khitabat na guzre Zarurat thi, Khitabat Yu'n bhi bhi Arbo ki daulat thi, Fir Quresh To is Sift se khaas tor per malamaal they, Arab aur Quresh ke Khatibana Mahol se Huzoor ﷺ bahut buland rahe, Fariza Qayadat ne jab bhi Taqaza kiya Aapki Zubaan kabhi Naseem Sahar ki tarah kabhi Aab Ju Ki tarah aur kabhi Taig Barqe Dam ki tarah mutaharrik ho jati,*
*❀__ Wa'az v Taqreer ki kasrat se Aapne parhez kiya, aur Ma'ashre ki zarurat aur uske Zarf ko dekh kar aitdaal se Quwwat E Khitaab ka istemal kiya, Masjid me khitaab farmate to Apni Chhadi per Sahara lete aur Maidaan E Jung me Taqreer farmana hoti to Kamaan per Tek lagate, Kabhi kabhaar Sawari per se khitaab kiya hai,*
*❀__ Taqreer me jism Daa'nye Baa'nye jhoom jata, Haatho ko hasbe Zarurat harkat dete, Taqreer me baaz moqo per "Qasam hai Us zaat ki Jiske Qabze me meri jaan hai ya Muhammad ki jaan hai" keh kar qasam khate, Lehje me bhi aur Chehre per bhi Dil ke Haqeeqi Jazbaat jhalakte aur Sama'ien per Asar Andaz hote, Dilo ko hila dete they,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 93,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–24_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Hunain v Taa'if Ke morke ke baad Huzoor ﷺ ne maale ganimat Taqseem kiya, To Makka ke Nav Muslimo ko usme bahut sa hissa diya taki unke Dil Mazeed naram ho'n aur Wo Ahsaan Ke Rishte se islami riyasat ke saath marboot tar ho jaye'n, Ansar me kuchh Logo'n ne Ajeeb se Ahsasaat ki ru dauda di kaha gaya k - Rasulullah ﷺ ne Quresh ko khoob ina'amaat diye aur hume Mehroom rakha, Mushkilaat me hum yaad aate hai'n aur Haasile Ganimat doosre log le jate hai'n _,"*
*❀_ Ye Charche Huzoor ﷺ ke kaano tak pahu'nche, Ek Charmi Khaima nasab kiya gaya, aur usme Ansar ka ijtima bulaya gaya, Huzoor ﷺ ne dariyaft farmaya k Tum Logo'n ne esi baate kahi hai'n ? Jawab mila k- Aapne jo suna wo Sahi hai magar ye baate hum me se zimmedar Logo'n ne nahi Kahi'n, Kuchh Nojawano ne ese Fiqre kahe hai'n _,"*
*❀_ Waqi'e ki Tehqeeq ke baad Aap ﷺ ne ye Taqreer ki :- kya ye Sach nahi hai k Tum log pehle gumrah they, Khuda ne mere zariye se tumko hidayat di ? Tum muntashir aur paraganda they khuda ne mere zariye se tumko muttahid kiya aur muttafiq kiya ? Tum Muflis they khuda ne mere zariye se tumko Aasooda haal kiya ? ( Har Sawal per Ansar kehte jate they k bila Shubha Allah aur Rasool ka bahut bada Ahsaan hum per hai )*
*❀_ Nahi tum ye jawab do k Ey Muhammad! Tumko jab Logo'n ne jhutlaya to humne tumhari tasdeeq ki, tumko jab Logo'n ne chhod diya to humne Panaah di, Tum jab Muflis ho kar aaye they to humne har tarah ki madad ki, Tum jawab me ye kehte jao aur Mai'n ye kehta jaunga k Haa'n tum sach kehte ho, Lekin Ey Giroh Ansar ! Kya Tumko ye pasand nahi k log Ou'nt aur Bakriya'n le jaye'n aur Tum Muhammad ko le kar Apne gharo ko jao _,"*
*❀_ Kalaam ka utaar chadaav dekhiye, Khanjare khitabat ki is dhaar ko dekhiye Jo Nazuk Jazbaat se Saiqal ki gaye thi, fir uski rawani dekhiye, Matalib ke mod dekhiye fir ye gor kijiye k kis tarah khateeb ne bil Aakhir matluba Kaifiyat Sama'ien me poori tarah ubhaar di, Ansar be Akhtyar cheekh uthe k "Humko sirf Muhammad ﷺ darkaar hai _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 94,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–25_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Ibtidayi Daure Dawat me Kohe Safa ke Khutbe ke alawa Ka'i Baar Aapne Quresh Ke Samane Taqreere farmayi'n hai'n, Us Daur ke ek Khutbe ka Ye iqtbaas mulahiza ho :-*
*"_ Qafile Ka Deedbaan Apne Saathiyo Ko kabhi galat ittela nahi diya karta, Khuda Ki Qasam Agar ( Bil Farz muhaal) me aur Sab Logo'n se jhoot kehne per Tayyar bhi ho jata tab bhi Tumse galat baat Hargiz na kehta, Agar ( Bil Farz muhaal) me Doosre Tamaam Logo'n ko Halakat v Khatre se do chaar kar deta to bhi Tumko kabhi Khatre me mubtila na karta _,"*
*❀_ Us khuda ki Qasam jiske Siva aur koi ilaa nahi, Mai'n Tumhari taraf khususiyat se aur Tamaam insano ki taraf Jaama Tor se Khuda Ka muqarrar Karda Rasool hu'n, Ba Khuda Tumko Laziman marna hai Jese k Tum So jate ho aur Fir Marne Ke baad Tumko Ji uthna hai, Jese k Tum neend se bedaar ho jate ho, Tumse Laziman Tumhare Kaamo ka Hisaab liya jana hai aur Tumhe bhale ka badla bhala aur bure ka badla bura Zaroor milta hai, fir ya to Hamesha Ke Liye Jannat hogi ya Hamesha Ke Liye Dozakh _,"*
*❀_ Kya hi Saada Andaze bayan hai, Kitni Aqali aur Jazbaati Apeal hai, Daa'i ki khair khwahi ek ek Lafz se Tapakti padti hai, Fir Yaqeen koot koot kar bhara hua hai, Chhote se is Khutbe ne misaalo se bhi kaam liya gaya hai, Toheed, Risalat aur Aakhirat ki Buniyadi Dawat poori tarah Samo'i hui hai _,"*
*❀_ Isi Tarah Huzoor ﷺ ke Do aur Khutbe hai'n Jinme se Fateh Makka per aur doosra Khutba Hajjatul Vida ke moqe per diya gaya, Un khutbo ka Mizaaj intehayi inqilabi hai aur unme imaan Akhlaaq aur iqtidaar Teeno ki goonj Sunayi deti hai, Hajjatul Vida ka khutba to Goya ek Daur E Nav ke iftetah ( Shuru hone ) ka Elaan hai_,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 94,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–26_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Aam Samaji Raabta :-*
*❀__ Bade bade kaam karne wale log bil umoom Raabta Aam ke liye waqt nahi nikaal sakte aur na har taraf Tavajjo de sakte hai'n, baaz bade Logo'n me khilwat pasandi aur Khushk Mizaaji paida ho jati hai aur Kuchh Kibr ka Shikaar ho kar Apne liye ek Aalam bana lete Hai'n, Magar Huzoor ﷺ intehayi Azmat ke muqaam per Faa'iz ho kar aur Tareekh ka rukh badalne Wale Karnaame Anjaam de kar Awaami Halqo se poori tarah marboot they, aur Jama'at aur Ma'ashre ke Afraad Shakhshi aur niji Talluq rakhte they,*
*❀__ Alahaidgi pasandi ya Kibr ya Pewasht ka Shayba tak na tha, Aap ﷺ ka Mamool tha k Raaste me Milne walo se Salam kehte aur Salam kehne me pahal karte, Kisi Ko Paigaam bhijwate to Saath Salam Zaroor kehalwate, Kisi ka Salam pahu'nchaya jata to bhejne wale ko bhi aur lane Wale ko bhi juda juda Salam kehte, Ek baar lodko ki toli ke paas se guzre to unko Salam kiya, Aurto'n ki Jama'at ke qareeb se ho kar guzre to unko Salam kiya, ghar me Dakhil hote hue aur ghar se nikalte hue Ghar ke Logo'n ko bhi Salam kehte,*
*❀__ Ahbaab se mu'anqa bhi farmate aur musafa bhi, Musafa se haath us waqt Tak na Khee'nchte jab tak doosra khud hi Apna haath alag na karta, Majlis me jate to is Amr ko napasand karte k Sahaba Tazeem ke liye khade ho'n, Majlis ke Kinaare hi Beth jate, Kandho per se faand kar beech me ghusne se Ahatraaz farmate, farmaya - isi tarah bethta hu'n jis tarah khuda ka ek Banda bethta hai _,"*
*❀__ Apne Zaanu Saathiyo se badha kar na bethte, koi aata to Aizaaz ke liye Apni Chaadar bichha dete, Aane wala jab tak khud na uthta Aap Majlis se alag na hote,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 94,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–27_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Ahle Majlis Ki Guftgu me Gair mutalliq mozu na chhedte balki Jo Silsila Kalaam chal raha hota usi me Shamil ho jate, Chunache Namaze Subeh ke baad Majlis rehti aur usme Sahaba se khoob baate hoti, Jaahiliyat ke qisse chhid jate aur un per khoob Ha'nsi bhi hoti _,*
*❀_ Sahaba Shayr bhi padhte, Jis mozu se Ahle Majlis ke chehro se uktane ka Asar Mehsoos hota use badal dete, Ek Ek Farde Majlis per Tavajjo farmate Taki koi ye na Mehsoos kare k kisi ko us per Aapne Foqiyat di hai, Daurane Takallum koi Shakhs Gair mutalliq Sawal chhed deta to use nazar andaz kar ke Guftgu jaari rakhte aur silsila poora kar ke fir uski taraf mutavajjah ho jate,*
*❀_ Khitaab karne wale ki jaanib se us waqt Tak Rukh na fairte jab tak wo khud Moo'nh na fair leta, Kaan me koi Sargoshi karta to jab tak wo baat poori kar ke Moo'nh na hata leta Aap barabar Apna sar usi ki taraf jhukaye rakhte, Kisi ki baat ko kabhi na kaatte, ilaa ye k Haq ke khilaaf ho, is Soorat me ya to tok dete ya Chehre per Nagawari aa jati ya uth kar chale jate _,"*
*❀_ Napasand tha k khade khade koi Aham bahas chhed di jaye, Napasandida baato se ya to airaaz farmate Varna giraft karne ka Aam Tareeqa ye tha k Barahe Raast Naam le kar zikr na karte, balki Umoomi Andaz me ishara karte ya Jaama tor per Nasihat kar dete,*
*❀_ intehayi Takaddur ki soorat me jo faqat Deeni Umoor me Hota tha Ahbaab Ko Ahsaas dilane ke liye zyada se zyada ye Tareeqa izhaar tha k ya to Shakhs Mutalliq ke aane per Salam Qubool na karte ya Adme iltfaat dikhate,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 95,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–28_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Napasandida Aadmi ke aane Per bhi Khanda Peshani se pesh aate, Chunache Ek baar Koi aaya Jise Aap ﷺ Apne Giroh ka bura Aadmi Samajhte they, Magar Aapne be takallufu se baat cheet ki, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ko is per Tajjub hua to Aap ﷺ ne farmaya:-*
*"_ Qasam hai k Qayamat ke Din Khuda Ke Huzoor Wo Shakhs Badtareen Aadmi Ka muqaam payega Jisse Log Uski Bad Sulooki ke dar se milna Julna hi chhod de'n _,"( Al Muwahib -1/291)*
*❀_ Kisi ki Mulaqaat ko jate to Darwaze ke Daa'nye Baa'nye khade ho kar ittela dene aur ijazat lene ke liye Teen martaba Salam karte, Jawab na milta to bager kisi Ahsase Takaddur ke Waapas chale aate, Raat Ko kisi se Milne jate to itni Awaaz me Salam kehte k Agar Wo jaagta ho to sun le aur So raha ho to neend me khalal na aaye,*
*❀"_ Badan Ya Libaas se koi Shakhs Tinka Ya Mitti vagera Hatata to Shukriya Ada karte hue farmate Khuda Tumse har us Cheez ko door kare Jo Tumhe buri Lage _,"*
*❀"_ Hadiya Qubool karte aur Jawaban Hadiya dene ka khayal rakhte, kisi Shakhs ko ittefaqan koi Takleef pahu'nch jati to use badla lene ka haq dete aur kabhi Evaj me koi Hadiya dete, Koi Shakhs Naya Libaas pehan kar Saamne aata to farmate - Khoob se khoob der tak pehno Bosida karo, Bad Sulooki ka badla bure Sulook se na dete balki Afu v Darguzar se kaam lete,*
*❀"_ Doosre ke Qusoor maaf kar dete to ittela ke liye Apna Amama Alamat ke tor per bhej dete _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 96,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–29_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Koi pukarta to khwah wo ghar ka Aadmi ho ya Rafqa me se hamesha "Labbek" (Haazir hu'n) kehte, Bimaaro ki Ayadat ko Ahatmaam se jate, Sarhane beth kar poochhte- Tumhari Tabiyat kesi hai ? Bimaar ki Peshani aur nabz per haath rakhte, Kabhi Seene aur pet per Daste Shafqat fairte aur kabhi Chehre per _,"*
*❀_Khane Ko pochhte, Bimaar Kisi Cheez ki khwahish karta to Agar muzir na hoti to mangwa dete, Tasalli dete aur farmate- "Fikr ki koi baat nahi, Khuda ne chaha to jald Sahatyab ho'nge, Shifa ke liye Dua farmate_,*
*❀_ Hazrat Sa'ad ke liye Teen baar Dua ki, Mushrik Chacha'on ki Bimaar pursi bhi ki, Ek Yahoodi Bachche ki Ayadat bhi farmayi ( Jo imaan le aaya ) is kaam ke liye koi Din aur Waqt muqarrar na tha, Jab bhi ittela milti aur Waqt milta Tashreef le jate _,"*
*❀_ Ek baar Hazrat Jaabir Bimaar pade, Rasulallah ﷺ Apne Rafeeqe Khaas Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ko Apne saath liye hue Paidal khaas doori tak chal kar gaye, Hazrat Jaabir behosh pade they, Aapne dekha, fir wazu kiya, Pani ke Chheente diye, Dua ki aur Mareez ki haalat Sambhalne lagi, Chunache Hazrat Jaabir ne baat cheet ki aur Apne Tarka ke mutalliq Masa'il poochhe_,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 96,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–30_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Tawazo ki inteha ye thi k munafiqeen ke Sardaar Abdullah bin Ubai tak ki Ayadat farmayi, Jab kisi Shakhs ki Wafaat ho jati to Tashreef le jate, Aalame Naza me bulaya jata ya Khud ittela pa kar pahu'nchte to Toheed aur Tavajjo illallah ki Talqeen karte, Mayyat Ke ghar Walo se Hamdardi ka izhaar farmate, Sabr ki Nasihat karte aur Chillane pukar karne se rokte _,"*
*❀__ Safed Kapde me Achchha kafan dene ki Takeed karte aur Tajheez v Takfeen me jaldi karate, Janaza uthta to Saath Saath chalte, Musalmano ke janaze khud padhate aur Magfirat ke liye Dua karte, Koi janaza guzarta .. to chahe wo Gair Muslim ka ho, khade ho jate ( bethe rehne ki Rivayat bhi hai aur Baaz log kehte hai'n k Qayaam ka Tareeqa mansookh ho gaya tha .. mulahiza ho - Zaadul Ma'ad -1/1345)*
*❀__ Talqeen farmate k Mayyat Ke ghar walo ke liye log khana pakwa kar bhijwaye ( Aaj ye ulti Rasmiyat musallat hai k Mayyat Wale Ghar me Doosro ki Ziyafat hoti hai) Napasand tha k ba qaayda Majlise Taaziyat ka silsila ek Rasmi zaabte ke Tor per Kai Kai Roz jaari rahe _,"*
*❀__ Koi Musafir Safar se Waapas aata aur Haazri deta to usse mu'anqa karte, baaz Awqaat Peshani choom lete, Kisi ko Safar ke liye Rukhsat farmate to kehte k Bhai hume Apni Duao'n me yaad rakhna, Muhabbat Aamez be takallufi me kabhi kabhi Ahbaab Ke Naamo ko Mukhtasar kar ke bhi pukar lete, jese Ya Aba Huraira ki bajaye "Aba Har" Hazrat Ayesha ko kabhi kabhaar "Aa'ish " keh kar pukarte,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 97,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–31_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Bachcho se bahut Dilchaspi thi, Bachcho ke Sar per Haath fairte pyar karte Dua farmate, Nanhe Bachche laye jate to unko god me le lete, Unko behlane ke liye Ajeeb se kalme farmate, Ek Masoom Bachche ko Bosa dete hue farmaya - Ye Bachche to Khuda ke Baag Ke Phool hai'n _,"*
*❀_ Bachcho ke Naam Tajveez karte, Bachcho ko qataar me jama kar ke inaami daud lagwate k dekhe'n Kon hume pehle Chhu leta hai, Bachche Daudte hue aate to koi Seene per girta koi pet per, Bachcho se Dillagi bhi karte, Maslan-Hazrar Anas ko kabhi kabhi pyar se kaha - Ya Zulzanain ( O do kaano Wale )_,"*
*❀_ Abdullah bin Basheer ke haath unki walida ne Hadiye ke Tor per Angoor Huzoor ﷺ ki khidmat me bheje, Sahabzade Miya'n Raaste me kha gaye, baad me maamla khula to Aap pyar se Abdullah ke kaan pakad kar kehte, "Ya Gadr ! Ya Gadr " ( O dhokebaaz, O dhokebaaz)*
*❀_ Safar se aa rahe hote to jo Bachcha Raaste me milta use Sawari per bitha lete, Chhota hota to Aage Bada hota to pichhe, Fasal ka Meva pehli baar aata to Barkat ke Dua maa'ng kar Kam Umar bachche ko de dete, Aapke peshe nazar tha k Yahi Nayi pod Aa'inda Tehreeke islami ki Alam bardaar hogi _,"*
*❀_ Budho ka Ahatraam farmate, Fateh Makka ke moqe per Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Apne Zaieful Umr waalid ko ( Jo binayi se bhi mehroom they ) Bait E islam ke liye Aapki khidmat me laye, Farmaya- inhe kyu Takleef di, Mai'n khud inke paas chala jata _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 98,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–32_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥-- Mel Jol Ki Zindgi me Aapke Husno Kirdaar ki Tasveer Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ne khoob khee'nchi hai, Wo farmate hai'n:- Mai'n Das Baras tak Huzoor ﷺ ki khidmat me raha aur Aapne mujhe kabhi Uff tak na kahi, Koi kaam Jesa bhi kiya nahi kaha k ye kyu kiya, aur koi Kaam na kiya to nahi kaha k Kyu nahi kiya _,"*
*❀_ Yahi maamla Aapka khadimo aur Kaneezo ke saath raha, Aapne unme se kisi ko kabhi nahi maara, Iski Tasdeeq Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Azwaaj Ya Khadimo me se na kabhi kisi ko maara na kisi se koi zaati inteqam liya _,"*
*❀_ Khaalis Niji Zindgi :- Aksar bade log wo kehlate hai'n Jo Public Life ke liye ek Masnu'i Kirdaar ka choga pehne rakhte Hai'n Jo Niji Zindgi me utar jata hai, Bahar dekhe to badi Aan baan hai Ghar pahu'nche to intehayi Pasti me ja gire, Bahar Saadgi aur Tawazo dikhayi, ghar ko palte to Aysh v ishrat me doob gaye,*
*❀_ Huzoor ﷺ ko dekhiye to Ek hi rang ghar me bhi hai aur ghar se bahar bhi, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se kisi ne dariyaft kiya k Rasoole khuda Apne ghar me kya kya karte they ? Unhone Jawab me farmaya :-*
*❀_ Aap Aadmiyo'n me se ek Aadmi they, Apne Kapdo ki dekh bhaal khud hi kar lete, Bakri ka Doodh khud dohte aur Apni Zarurate khud hi poori kar lete, Neez Apne kapdo ko khud hi pewand laga lete, Apne Joote ki marammat kar lete aur ye k Apne Dol ko Taa'nke laga lete, Bojh uthate, Jaanwaro ko chaara daalte, Koi Khadim hota to uske Saath mil kar kaam Kara dete ( Maslan) use Aata piswa dete, Kabhi Akele hi mashakkat kar lete, Bazaar jane me Aar na thi, Khud hi Sauda Salf laate aur Zarurat ki Cheeze ek Kapde me baa'ndh kar utha laate _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 98,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–33_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Logo'n ne ye bhi dariyaft kiya k Rasulullah ﷺ jab ghar me hote to kya rang rehta ? Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha batati hai'n ( Sabse Zyada Naram Mizaaj, Muskurane wale, Khanda Jabee ) aur kabhi kisi khaadim ko jhidka nahi _," Haq ye hai k Rasoole khuda ﷺ se badh kar koi bhi Apne Ahlo Ayaal ke liye Shafeeq na tha _," ( Muslim)*
*❀__ Ek baar Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ke poochhne per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne bayan kiya k Rasulallah ﷺ ghar me aate to Apna waqt Teen Tarah ki masrufiyato me Sarf karte, Kuchh Waqt khuda ki ibaadat me sarf hota, Kuchh Waqt Apne Araam ke Liye, Fir inhi Awqaat me se ek hissa Mulaqatyo ke liye nikaalte jinme Masjid ki Aam Majlis ke alawa khususi Guftgu karne wale Ahbaab ya Mehman aa Aakar milte ya kuchh log Zaruriyaat v Hajaat le kar aate _," ( Shama'il Tirmizi), Dekha jaye to Araam ke liye bahut hi kam waqt reh jata tha _,"*
*❀__ Azwaaj Mutahraat ke naan nafqa aur mukhtalif Zaruriyaat ka intezam bhi Aapko karna hota fir unki Taleem v Tarbiyat bhi Aapke Zimme thi, Fir unhi ke zariye Tabqa khwateen ki islaah ka kaam jaari rehta, Aurte'n Apne Masa'il le kar aati aur Azwaaj Mutahraat ki ma'arfat dariyaft karti _,"*
*❀__ iske Bavjood ghar ki fiza ko Aapne kabhi Khushk aur Bojhil na banne diya, aur na usme koi masnu'i andaz paida hone diya, Ghar ek insaani ghar ki tarah tha jiski Fiza me Fitri Jazbaat ka ras ghula rehta, Huzoor ﷺ aate to Naseem Ke jho'nke ki tarah aate aur ek Ajeeb Shaguftgi fail jati, Baat Cheet hoti, Kabhi kabhi qissa goi bhi hoti aur Dilchasp Lata'if bhi waqo me aate_,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 99,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–34_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- Gharelu Zindgi ke is Fitri utaar Chadaav ko Baaz log islamiyat ke Tasavvur se dekhte hai'n aur Khususan Nabi Kareem ﷺ ke ghar ka Naqsha Kuchh esa Zahan me rakhte Hai'n k isme koi gair insaani palte rehte they jinme koi Jazba tha na Khwahish.... Hala'nki wo ghar insaano ka ghar tha, aur usme Saare insaani Jazbaat kaam karte they, magar Us ghar me Ma'asiyat ( Gunaah Ka koi kaam) na thi, is Lihaaz se wo ghar Ek Namoona tha,*
*❀_ Raato ko jab Huzoor ﷺ bistar per hote to Ahlo Ayaal se Aam Baate hoti, Kabhi gharelu Umoor kabhi Aam Musalmano ke Masa'il per, Yaha'n tak k Kabhi qissa kahani bhi sunate, Ek baar Aapne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Umme Zara ki kahani bayan ki, is Kahani me 11 Aurte'n Apne Apne Khawindo ka Kirdaar Aapas me bayan karti hai'n, Unme se ek Aurat Umme Zara Apne Khawind Abu Zara ka Man Mohna Kirdaar pesh karti hai, Ye Kahani Adabi Lihaaz se badi Dilchasp hai, Khaatme per Huzoor ﷺ ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se kaha k Mai'n bhi Tumhare Haq me wesa hi hu'n Jesa k Abu Zara Umme Zara ke liye tha_,*
*❀_ isi Tarah kisi Doosre moqe per Koi qissa sunaya to Sunne Waliyo'n me se ek ne kaha k ye to Khurafa ke qisso jesa hai ( Arab me Khurafa ki ek Rivayati Shakhsiyat thi Jisse bahut se Hairat naak qisse mansoob they ) Huzoor ﷺ ne kaha k Jaanti ho k Khurafa ki kya Haqeeqat thi, Fir Aapne Khurafa ki Rivayati Shakhsiyat ka qissa bhi bayan kiya k Banu Uzrah ke is Aadmi ko Jin pakad kar le gaye they aur kuchh Arse ke baad Waapas chhod gaye _," ( Shama'il Tirmizi)*
*❀_ Umr bhar Mamool raha k Raat ke Doosre nisf hisse ke Avval me bedaar ho kar Miswaak aur Wazu ke baad Tahajjud Ada farmate, ( Zaadul Ma'ad)*
*"_ Qur'an Thehar Thehar ka padhte hue baaz Awqaat itna lamba Qayaam farmate k Qadam Mubarak per Waram aa jata _," ( Shama'il Tirmizi)*
*"_ Sahaba Kiraam ne is Mashaqqat per Arz kiya k Allah Ta'ala ne to Aapko Gufraan Khaas se nawaza hai, Fir is qadar Huzoor ﷺ Jaan kyu khapate hai'n, Farmaya - kya Mai'n khuda ka Ahsaan Shanaas aur Shukr Guzaar Banda na banu _,"( Shama'il Tirmizi)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 100,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–35_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Ghar aur uske Saazo Samaan Ke Mutalliq Aapka nuqta nazar ye tha k Zindgi is tarah guzari jaye Jese Musafir guzaarta hai, Farmaya k meri misaal us Musafir ki si hai Jo thodi der ke liye Saaye me Araam kare aur fir Apni Raah le, Muraad ye hai k Jo log Aakhirat ko muntaha banaye aur Duniyavi Zindgi ko Ada E Farz ya Imtihaan ke tor per guzaare, aur jinhe Yaha'n kisi bade nasbul ayn ke liye jaddo jahad karni ho unke liye kya moqa hai k Aala Darje ke maskan banaye aur unko Saazo Samaan se Araasta kare aur fir unme Magan reh kar lutf uthaye _,"*
*❀"_ Chunache Aap aur Aapke Saathiyo ne na Aala Darje ki imaarte banayi aur na unme Asbaab jama kiye aur na unki Zeenat Aara'ish ki, Unke ghar bas "Behatreen Musafirana Qayam gaahe thi" unme garmi Sardi se bachne ka Ahatmam tha, Jaanwaro ki mudakhlat se bachaav ka intezam tha, parda daari ka bandobast tha aur Hifzane Sahat ke zaroori pehlu malhooz they _,"*
*❀"_ Huzoor ﷺ ne Masjid ke Saath Azwaaj Mutahraat ke liye Hujraat ( Chhote Chhote kamre) banwaye they, Bajuz Safaa'i ke aur kisi tarah ki Araa'ish na thi, Safaa'i me Zoqe Nabuwat Yaha'n tak tha k Sahaba ko Takeed farmayi, gharo ke Aangan Saaf rakho _," ( Tirmizi)*
*❀"_ Saazo Samaan me Chand Bartan Nihayat Saada qism ke they, Maslan Ek Lakdi ka pyala ( Baadiya) tha, Jis per lohe ke Pattar lage they aur khane pine me iska ba kasrat istemal hota tha, Khuraak ka Samaan jama to kya hota Roz ka Roz bhi kaafi miqdaar me mayassar na hua _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 101,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–36_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Bistar chamde ke gadde per mushtamil tha, Jisme Khajoor ki Chhaal bhari hui thi, baan ki bani hui Chaar Payi rakhte, Taat ka bistar bhi istemal me raha, Jo Dohra kar ke bichhaya jata, Ek baar Chohra kar ke bichhaya gaya to Subeh dariyaft farmaya k Aaj kya khususiyat thi k mujhe gehri neend aayi aur Tahajjud chhoot gayi, maloom hone per hukm diya k Bistar ko pehle hi haal per rehne diya jaye,*
*❀"_ Zameen per chatayi bichha kar bhi letne ka Mamool tha, Baaz Awqaat Chaar Payi ke nishanaat badan per dekh kar Rafqa khaas ( Maslan Hazrat Umar v Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhum) ro pade, Zara Hazrar Umar Raziyallahu Anhu ka Chashmdida Naqsha saamne laye'n, Unhone Huzoor ﷺ ko is Aalam ke dekha k Aap ﷺ Khuri Chaar Payi per lete Hai'n aur Jism per Nishan pad gaye hai'n, idhar udhar dekha to ek taraf mutthi bhar Jo rakhe hai'n, Ek kone me kisi jaanwar ki khaal keeli se latak rahi hai, Ye manzar dekh kar meri Aa'nkho se Aa'nsu jaari ho gaye _,"*
*❀"_ Huzoor ﷺ ne rone ka sabab puchha to arz kiya k Qaisar v Kisra to Aysh kare'n aur Aapka ye haal rahe, Farmaya - Umar kya Tum is per khush nahi k wo Duniya le jaye'n aur hume Aakhirat mile _," ( Al Muwahib, Sahi Muslim)*
*❀"_ Khane pine ka Zoq bahut nafees tha, gosht se khaas ragbat thi, Zyadatar Tarjeeh Dast, gardan aur peeth ke gosht ko dete, Neez pehlu ki haddi pasand thi, Shareed ( gosht ke Shorbe me roti ke tukde bhigo kar ye Makhsoos arbi khana Tayyar kiya jata tha) tanawul farmana margoob tha, Pasandida Cheezo me Shehad, Sirka, Kharbuja, Kakdi, Loki, khichdi, Makkhan, vagera cheeze Shamil thi, Doodh ke saath khajoor ( Behatreen Mukammal Giza banti hai ) ka istemal bhi achcha lagta aur Makkhan laga kar khajoor khana bhi Zoq me Shamil tha,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 102,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–37_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Mareezo Ki Parhezi Giza ke Tor per Hareera ko Achchha Samajhte aur Tajveez bhi farmate, Meetha pakwaan bhi margoob khaas tha, Aksar Jo ke Sattu bhi istemal farmate, Ek martaba Badaam ke Sattu pesh kiye gaye to ye keh kar inkaar kar diya k ye Ameero ki Giza hai, ghar me Shorba pakta to kehte k Hamsaya ke liye Zara zyada banaya jaye,*
*❀"_ Pine ki Cheezo me Number ek per meetha Pani tha, aur Bator khaas door daraaz ki musafat se mangwaya jata, Doodh Pani Mila Doodh ( jise kachchi lassi kaha jata hai) aur Shehad ka Sharbat bhi ragbat se nosh farmate,*
*❀"_ Mashkize ya Patthar ke bartan me Pani daal kar khajoor bhigo di jati aur use mutawatar Din bhar istemal karte lekin waqt zyada hone per Chu'nki Nasha hone ka Andesha ho jata lihaza fikwa dete, Ba Rivayat Abu Maalik Ash'ari ye farmaya bhi k meri Ummat me Baaz log Sharaab piyenge aur uska naam badal kar kuchh aur rakh denge,*
*❀"_ Afraad ka alag alag beth kar khana Napasand tha, ikatthe ho kar khane ki Talqeen farmayi, Mez kursi per beth kar khane ko Apni Shaan E Faqr ke khilaf samajhte, isi tarah Dastar Khwan per chhoti chhoti pyaliyo aur Tashtariyo me khana rakha jana bhi khilafe Mizaaj tha, Sone Chandhi ke bartan ko bilkul haraam farma diya tha, Kaa'nch Mitti Taanbe aur lakdi ke bartano ko istemal me late rahe, Dastar Khwan per haath dhone ke baad joota utaar kar bethte _,"*
*❀"_ Sidhe haath se khana lete aur Apne Saamne ki taraf se lete, Bartan ke Darmiyan me haath na daalte, Tek laga kar khana pina bhi khilafe Mamool tha, Do Zanu ya ukdu bethte, Har Luqma lene per Bismillah padhte, Napasandida khana bager Ayb nikale khamoshi se chhod dete, Zyada garam khana na khate, khana hamesha Teen Ungliyo'n se lete aur Unko Lithadne na dete, Kabhi Kabhaar meva ya fal khade ho kar ya chalte hue bhi kha liya, Do Fal ikatthe bhi khaye, Maslan ek haath me Kharbuja liya aur doosre me khajoor, Khajoor ki guthli ulte haath se Fai'nkte,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 103,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–38_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Dawat Zaroor qubool farmate aur Agar ittefaqan koi doosra Aadmi ( Baat Cheet karte hue ya kisi aur sabab se ) saath hota to use le to jate magar Sahibe khana se uske Liye ijazat lete, Mehman ko khana khilate to baar baar israar se kehte k Achchhi tarah be takallufi se Khao _,"*
*❀"_ Khane Ki Majlis se ba Taqaza murawwat sabse Aakhir me uthte, Doosre log Agar pehle faarig ho jate to unke Saath hi Aap bhi uth jate, Faarig ho kar haath Zaroor dhote, Dua karte jisme khuda ki Ni'amato me liye Ada E Shukr ke kalmaat hote, Neez Talabe Rizq farmate aur Sahibe khana ke liye Barkat chahte,*
*❀"_ Khane ki koi Cheez aati to Haazir Dosto'n ko ba israar Shareeq karte aur Gair Haazir Dosto'n ka hissa rakh dete, Fal vagera khane ki Majlis me Ek ek Daana nikaalne ki Tarbiyat Aapne di,*
*❀"_ Pani gat gat ki Awaaz nikale bager aur bil umoom Teen baar Moo'nh se alag kar ke Saa'ns lete aur har baar Aagaaz "Bismillah" se aur akhtaam "Alhamdulillah" per karte, Aam Tareeqa beth kar Pani pine ka tha, Magar kabhi kabhi khade ho kar bhi piya hai, Pine ki cheez Majlis me aati to bil umoom Daahine jaanib se daur chalate aur Jaha'n ek Daur khatm hota doosra daur Wahi'n se Shuru karte,*
*❀"_ Badi Umr ke Logo'n ko Tarjeeh dete magar Daahine haath walo ke muqarrara istehqaq ki bina per unse ijazat le kar hi Tarteeb todte, Ahbaab ko koi cheez pilate to khud Sabse Aakhir me pite, khane pine ki Cheezo me Foo'nk maarna ya unko Soonghna napasand tha, Saa'ns me Bu ka hona Chu'nki khilafe Mizaaj tha isliye Kachchi Pyaaz aur Lahsun ka istemal hamesha Napasand raha,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 104,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–39_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥- Khane Pine ki Cheezo ko dhaa'nkne ka hukm diya hai, koi naya khana saamne aata to khane se pehle uska naam maloom farmate, Zehar Khurani ke Waqi'e ke baad Mamool ho gaya tha k Agar koi Ajnabi Shakhs khana khilata to pehle ek Aadh Luqma khud use khilate,*
*❀"_ Zoq ki is Nafasat ke saath doosri Taraf Aksar Awqaat Faqr v Faaqa ka Aalam dar pesh raha, Jiski Tafseel humn doosri jagah denge, Farmaya - Mera khana pina esa hai jese ( khuda ke ) kisi Bande ka hona chahiye,*
*❀"_ Nashist v Barkhast :- Kabhi ukdu bethte, kabhi dono haath zaanuo'n ke gird halqazan kar lete, Kabhi haatho ke bajaye kapda ( Chaadar vagera) lapet lete, Bethe hue Tek lagate to bil umoom ulte haath per, Fikr ya Soch ke waqt bethe hue zameen ko Lakdi se kuredte,*
*❀"_ Sone ke Liye Seedhi karwat sote aur Daa'nye haath ki Hatheli per Apna Dahina Rukhsar rakh lete, Kabhi chit bhi lette, aur Paa'nv per Paa'nv bhi rakh lete, magar Satar ka Ahatmam rakhte, pet ke bal ou'ndha letna Sakht Napasand tha aur isse mana farmate they, Ese Tareek ghar me Sona pasand na tha jisme Charaag na jalaya gaya ho, Khuli Chhat per jiski parde ki Diwaar na ho Sona Achchha na Samajhte,*
*❀"_ Wazu Kar ke Sone ki Aadat thi aur Sote Waqt Mukhtalif Duae'n padhne ke alawa Aakhri Teen Soorte padh kar badan per Dam kar lete, Raat me Qaza E Haajat ke liye uthte to Faarig hone ke baad Moo'nh zaroor dho lete, Sone ke liye Ek Tehbabd Alahida tha, Kurta utaar kar latka dete,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 104,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–40_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Bashri Hajaat :-*
*❀"_ Zarurat ke liye Chu'nki us daur me gharo me Baitul Khal na they isliye Huzoor ﷺ jungle jate, Umuman itni door tak jate k Nazro se oajhal ho jate, Esi naram zameen talash karte k Chhee'nte na ude,*
*❀"_ Moqa Haajat per pehle Baaya'n qadam rakhte fir Daa'nya, bethte hue zameen ke bilkul qareeb ho kar muqame Satar se kapda kholte, Kisi Teele vagera ki Aad zaroor lete,*
*❀"_ Zarurat ke liye hamesha joota pehan kar aur Sar dhak kar nikalte, Qibla ki taraf Moo'nh ya Pusht karne se ijtinab tha, Rafa Haajat ke Waqt Anguthi alag kar dete, ( Waaze rahe k us per khuda aur Rasool ke Asma Kundhe they ) Aab dast bila iltizam Baa'nye haath se karte, Jaay Zarurat se alag hote hue pehle Daa'nya Paa'nv uthate fir Baa'nya,*
*❀"_ Gusl ke liye Parda Zaroori qaraar diya tha, ghar me nahate to Kapde ka parda taana jata, kabhi Baarish me nahate to Tehbabd baa'ndh lete, Chhee'nk Past Awaaz se lete aur Haath ya Kapda Moo'nh per rakh lete _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 105,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–41_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Safar :- Safar Ke Liye Jumeraat ko Rawangi Zyada pasand thi, Sawari ko Tez chalate, Padaav se Subeh Ke Waqt kooch karna Mamool raha, Safar me Jo ijtimayi kaam Darpesh hote unme zaroor hissa lete,*
*❀"_ Chunache Ek Baar khana Tayyar karne ki muhim thi, Saare Saathiyo ne kaam Taqseem kiye, Aapne bhi Lakdiya'n chunna Apne Zimme liya, Kaha gaya k Aap Takleef na kare'n hum sab is kaam ke liye kaafi hai'n, Farmaya k mujhe imtiyaz pasand nahi,*
*❀"_ Safar me Sawari per baari baari kisi na kisi pyade Saathi ko Shareek karte, Safar se Raat me waapas aana pasand na tha, Aate to Seedhe Masjid me ja kar Nifl Ada karte, Ghar me ittela ho jane ke baad itminaan se jate,*
*❀"_ Jazbaat:- insaniyat ka koi Tasavvur hum Jazbaat ko alag rakh kar nahi kar sakte, Huzoor ﷺ me bhi insaani Jazbaat Behatreen Usloob per Kaar farma they, Aap bahut hi Sahibe Ahsaas Hasti they aur Khushi me khushi aur Gam me Gam se mutassir hote _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 106,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–42_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Huzoor ﷺ un Naamo Nihaad bade Logo'n me se na they Jo Duniya Jaha'n ke gam me ghule jate hai'n Lekin ghar ke liye sang Dil aur Tagaful kaish ( be parwah) saabit hote hai'n, Bahar ki zindgi pur hangama hoti hai ghar ki feeki aur bad maza, Aapko Azwaaj ke saath Sachchi Muhabbat thi, Hazrat Ayesha ke saath ek hi pyale me pani pite aur Jaha'n wo Moo'nh lagati'n Wahi'n Moo'nh lagate_,*
*❀"_ Ansar ki Bachchiyo ko bulwate taki wo unke ( Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke) saath khele, Habshiyo ke Warzish kartab is andaz se dikhaye k Hazrat Ayesha ki Thodi Aapke kandhe per thi, baar baar puchhte k kya tum sair ho gayi ho ? Wo kehti'n - Abhi nahi ! Der tak ye silsila jaari raha _,"*
.
*❀"_ Hazrat Safiya Raziyallahu Anha ko Ou'nt per Sawaar karane ke liye Aap ﷺ apna ghutna bada dete aur us per Aap Apna payr rakh kar sawaar ho jaati'n, Ek martaba Safar me Naaqa ( Ou'ntni) ka Paa'nv fisla aur Huzoor ﷺ aur Hazrat Safiya Raziyallahu Anha dono gir pade, Abu Talha saath they, Daude hue Aapke paas aaye, Aapne farmaya pehle khatoon ki taraf Tavajjo karo,*
*❀"_ isi Muhabbat ki vajah se ek baar Shehad na khane ki qasam kha li thi, jis per itaab aaya k - "Halaal cheez ko Haraam na karo _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 106,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–43_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Apne Bachcho Ke Liye bhi Huzoor ﷺ ke Jazbaat bade gehre they, Hazrat Ibrahim ko Raza'at ke liye ek Lohaar Ke ghar me Madina ke Balaa'i hisse me rakha gaya tha, Unko dekhne ke liye khasa Faasla chal kar Tashreef le jate, Ghar me Dhuwa'n bhara hota magar waha'n bethte aur Bachche ko god me le kar pyaar karte,*
*❀_"_ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha aati'n to uth kar istaqlaal karte, Khud Tashreef le jate, Apni kehte unki Sunte, Unke Sahabzado Hasan aur Husain Raziyallahu Anhum se bahut hi pyaar tha, unko god me lete, Unko Kandho per Sawaar karte, Unke liye Ghoda bante, Haalate Namaz me bhi unko Kandho per bethne dete,*
*❀_"_ Ek baar Iqra bin Haabis ne Aapko janab Hasan Ka Bosa lete dekha to Tajjub se kaha k mere to Das bete hai'n, Maine kabhi kisi ko pyaar nahi kiya magar Aap Bosa lete Hai'n, Farmaya- Jo Raham nahi karta us per Raham nahi kiya jata _,"*
*❀_"_ Hazrar Ibrahim Sahabzade ki Wafaat hui to Sadma se Aa'nkhe dabdaba aayi'n, Isi tarah ek Sahabzadi ki Wafaat Aapki mojoodgi me hui, Umme Aiman chilla chilla kar rone lagi'n, Huzoor ﷺ ne mana farmaya, To wo kehne lagi'n k Aap khud bhi to ro rahe hai'n, Aapne farmaya k esa Rona mana nahi hai, Ye Rona jis Raqat ki vajah se hai Wo Allah ki ek Rehmat hai,*
*❀_"_ Apni Sahabzadi Umme Kulsum ki Qabr per khade hue to Us Waqt bhi Aap ﷺ ki Aa'nkho se Aa'nsu jaari they, Usman bin Maz'oun ki mayyat ke saamne bhi Aap ﷺ ki Aa'nkhe Ashk baar thi'n, aur Aapne unki Peshani per Bosa diya, Apne Rone ki Kaifiyat ko khud bayan farmaya,_"Aa'nkhe Ashk Alood hai'n, Dil Gamzada hai, Magar hum Apni Zubaan se iske ma Siva kuchh nahi kehte Jo hamare Rab ko pasand hai _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 106,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–44_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Gam ki Haalat me Aksar Zubaan se ye Alfaz Ada hote: "Hasbiyallu Ni'amal Wakeel", Rone me Ou'nchi Awaaz na nikalti, balki thanda Saa'ns lete aur Haa'ndi ke ubalne jesi Awaaz Seene se nikalti,*
*❀_"_ Ek baar Abdullah ibne Masoud Raziyallahu Anhu se farma'ish kar ke Qur'an suna, Wo jab Surah Nisa ki is Aayat per pahu'nche ( Tarjuma) us waqt kya haal hoga jabki hum har Ummat me se ek Gawah ko khada karenge aur Un Logo'n per Tumhe Gawah bana ke payenge _," to Aa'nkho se Seel Ashk rawa'n ho gaya _,"*
*❀_"_ Ye Raqaat Sar Chashma hai un Jazbaate Hamdardi v Shafqat ka Jo Huzoor ﷺ ko Saari Insaniyat se thi, aur Khususan islami Jama'at ke afraad se, Hairat hai k is nazakat Ahsaas ke saath saath Huzoor ﷺ ne Mushkilaat v Masa'ib ke muqable me kis darja ke Sabr v istaqlaal ka muzahira kiya,*
*❀__"_ Zoq E Mazah :- Hum pehle bhi zikr kar chuke hai'n k Rasoole khuda ﷺ khanda Rui ki sifat se mutasif they, balki farmaya - Tera Apne Bhai ke Saamne Muskurate hue aana bhi ek Kaar khayr hai _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 107,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–45_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Aap ﷺ ki ye Shaan bhi bayan ho chuki hai k Azeem Kaarname Anjaam dene wali Shakhsiyat ke liye Laazmi Sift hai k Wo Fara'iz Hayaat ke bojh ko Apne Tabassum se gawara bana de aur Saathiyo ke Dilo me ghar kar le, Aapka haal ye tha k Aap Apne be takallufana Andaze Mazah se pesh aate they k Rafqa ke Dilo me Aapki muhabbat rach bas gayi thi,*
*❀"_ Aap ﷺ Ha'nsi Dillagi ki baate karte aur Majlis me Shaguftgi ki fiza paida kar dete, magar Tawazan v Aitdaal hamesha malhooz rehta, Mazah ka rang aate me namak ki tarah halka rehta aur isme bhi na to khilafe Haq kabhi koi baat Shamil hoti na kisi ki dil Azaari ki jati aur na thathe laga kar ha'nsna Mamool tha, Guncho ka sa Tabassum hota jisme zyada se zyada Daa'nto ke keele dikhayi dete Halaq nazar na aata,*
*❀"_ Ek baar Tajjub se Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne kaha k, Aap humse Mazaaq bhi farma lete Hai'n ? Irshad farmaya - Haa'n magar Mai'n khilafe Haq koi baat nahi kehta _,"*
*"_ Ek baar kisi Saa'il ne Sawari ka Ou'nt maanga, farmaya hum tumhe Ou'ntni ka ek Bachcha denge, Saa'il ne Hairat se kaha k Mai'n use le kar kya karunga, Farmaya - Har Ek Ou'nt kisi Ou'ntni ka Bachcha hi hota hai _,"*
*❀"_ Ek Budhiya ne aa kar arz kiya k mere liye Dua kijiye k khuda mujhe jannat ata farmaye, Huzoor ﷺ ne Mazahan kaha - Ey Umme Fala'n! Jannat me koi Budhi Aurat nahi ja sakti _," Wo roti hui uth kar jane lagi, Hazireen se farmaya - use kaho k khuda Ta'ala use is Budhape ke Saath jannat me nahi le jayega balki uska irshad hai k jannat me jane Waliyo'n ko Allah Ta'ala jawani se Sarfaraz farmayega _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 108,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–46_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Zaahir ( Ya Zuhair ) Naami ek Baddu they, Unse be takallufi thi, Aap ﷺ Apne us Baddu Dost ko Shehar se mutalliq kaamo me imdaad dete aur Wo Dehaat se mutalliq Huzoor ﷺ ke kaam kar lata, Neez mukhlisana Jazbe se Hadiye deta ( Jinki qeemat Huzoor ﷺ ba israar Ada farmate ) Chunache farmate k Zaahir Dehaat me hamara gumashta ( Muneem) hai aur hum Shehar me uske gumashta hai'n _,"*
*❀__"_ Yahi Zaahir ek din Bazaar me Apna kuchh Sauda bech rahe they, Huzoor ﷺ ne pichhe se ja kar chupke se Aa'nkho per haath rakh diye aur puchha batao Mai'n kon hu'n, Wo pehle to kuchh na samjhe, Fir jab maloom hua to farte ishtiyaq me Huzoor ﷺ ke Seene se Apne kandhe malte rahe, fir Huzoor ﷺ ne Mazahan kaha k kon is gulam ko khareedta hai , Zaahir kehne lage, Ya Rasulallah! Mujh jese nakaara gulam ko jo kharidega ghaate me rahega, Farmaya - Tum khuda ki nigaah me nakaara nahi ho _,"*
*❀__"_ Ek moqe per Majlis me khajoore khayi gayi'n, Aap Mazah ke tor per guthliya'n nikaal nikaal kar Hazrar Ali ke aage daalte rahe, Aakhir me guthliyo ke dher ki taraf ishara kar ke unse kaha k tumne to bahut khajoore khayi'n, Unhone kaha k Maine guthliyo samet nahi khayi'n _,"*
*❀__"_ Baad ke Logo'n ko is range Mazah ka haal sun kar Tajjub hota tha kyunki ek to mazhab ke saath Taqashuf ( Sakht zindgi guzarne) ka Tasavvur hamesha mojood raha hai aur khuda parasto aur Muttaqiyo ki hamesha Roni Soorate aur Khushk Tabiyate Logo'n ke saamne rahi hai'n, Doosre Huzoor ﷺ ki ibaadat E Rab, Huzoor ﷺ ki khashiyat, Huzoor ﷺ ki bhari Zimmedariyo aur Huzoor ﷺ ke Tafakkuraat ka khayal karte hue ye Samajhna mushkil ho jata hai k is Namoona E Insaniyat ne in muskurahato ke liye zindgi ke Naqshe me kese jagah paida ki _,"*
*❀__"_ Chunache ibne Umar Raziyallahu Anhu se puchha gaya k kya Rasulallah ﷺ ke Raqfqa bhi Ha'nsa karte they? Unhone farmaya - Haa'n ha'nste they aur unke Dilo me Pahaad se zyada bada imaan tha ( Yani Ha'nsi Dillagi imaan v Taqwa ki Naqeez ( mukhalif ) nahi hai _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 109,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–47_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_ Tafrihaat :- Mutawazan Zindgi Ka ek Laazmi juz Tafrihaat ( Jaa'iz Hudood me ) bhi hai, Mazah ki tarah ye juz Saaqit ho jaye to Zindgi bojh ban jati hai aur jis Nizame Hayaat me Tafrihaat ki gunza'ish na rakhi gayi ho use koi Ma'shra der tak utha nahi sakta, Huzoor ﷺ ko bhi baaz Tafrihaat pasand thi'n aur Jaa'iz Hudood me unke liye Raaste nikale _,"*
*❀"_ Shakhshi Tor per Aap ﷺ ko Baago ki Sair ka Shoq tha, Kabhi Tanha aur Kabhi Rafqa ke Saath Baago me chale jate aur Wahi'n Majlis bhi ho jati _,"*
*❀"_ Tairne Ka mashgala bhi tha, aur Ahbaab ke saath kabhi kabhaar Talaab me Taira karte, Do Do Saathiyo ke jod banaye jate aur fir har jod ke Saathi door se tair kar ek doosre ki taraf aate, Ek moqe per Apna Saathi Huzoor ﷺ ne Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ko pasand kiya _,"*
*❀"_ Waqfe ke baad Baaris padti to Tehbabd baa'ndh kar Fuqaar me nahaya karte, Kabhi Tafrihan kisi Ku'nwe me Paa'nv latka kar uske dahane per Bethte, Daudo'n aur Teerandazi ke muqable karate aur Akhade me khud poori Dilchaspi se Shareek rehte, Ese moqo per Ha'nsi Dillagi bhi hoti _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 110,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–48_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Masarrat Ke Moqo per pasand tha k Daf bajaye jaye'n Ya Bachchiy'n geet ga le'n, Chunache Eid ki Taqreeb per Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke paas do Ladkiya'n geet ga rahi thi, Huzoor ﷺ qareeb hi lete they, Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu aaye to gusse me Daa'nta k khuda ke Rasool ke ghar me ye kya Shaitani hangama macha rakha hai, is per Huzoor ﷺ ne farmaya k inhe gaane do _,"*
*®_ Rivayat Ayesha Raziyallahu Anha: Muslim Baab Eid mulahiza ho)*
*❀_"_ Ese hi ek bazm E Urusi me Bachchiya'n ga rahi thi, Hazrat Aamir bin Sa'ad ne baaz Hazireen se Bator aitrazan kaha k Ey Sahabiyaan E Rasool! Ey Shurka E Badar ! Tumhare Saamne ye kuchh ho raha hai ? Jawab mila - G chahe to beth kar suno Varna chale jao, Hume Rasulallah ﷺ ne iski ijazat di hai _," ( Mishkaat Baab Elaan Nikaah )*
*❀_"_ Tafrihaat me ek Darwaza Gunaah aur Aysho ishrat ki taraf khulta hai, Iska Huzoor ﷺ ne sad baab kiya ( yani qat'an rok diya) Yaha'n gaane ka Zikr hai, Arab me Rubaab Ba kasrat Raa'ij tha magar iska naam nahi liya, Sirf Daf ka naam liya, Gaane ka mazmoon dekhiye to koi Shokhi nahi, koi Jinsiyat nahi, Gunaah ki baat nahi, Sirf Muhabbat ke Saada Kalme hai'n, Fir ye nahi farmaya k kisi Qeena ( Gaane Wali ) ya gawayye ko ya koi Taaifa bula lete, Nahi Sirf Chhoti Bachchiyo me se kaha k kisi munasib Bachchi ko bulwa lete_,"*
*❀_"_ Wo log Zyadti karte hai'n Jo istagna ( Be parwahi ) ko faila kar kulli usool bana lete Hai'n aur inteha pasandana baate karte hai'n, Ese ijtihadaat ki gunza'ish Huzoor ﷺ ne nahi chhodi _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 110,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–49_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥_Huzoor ﷺ ne Shayr se bhi Dilchaspi li hai, Arab me jo Shayr parasti raa'ij thi, usse to Aapko bu'ad tha, Aapko Nagma ilhaam ki jaazbiyate itna moqa hi na deti thi k Shayr v Sukhan ki taraf zyada Tavajjo ho, magar doosri taraf Zoqe Shayr se Qudrat ne Mehroom nahi rakha, Achchhe Shayr ( Ba Lihaaz Maqsad ) ki qadar farmate they Balki kehna chahiye k Huzoor ﷺ ne ek naya Zoq Ma'ashre ko diya, aur ek naya maiyaar Naqad muqarrar farmaya,*
*❀"_ Jaabir bin Samrah Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Huzoor ﷺ ki khidmat me ek so se zyada majliso me Shareek hua hu'n, Jinme Jaahiliyat ke qisse bhi Hote they aur Sahaba Shayr bhi Sunaya karte, Sha'araan Arab ke Kalaam me se ek baar labeed ka ye misra pasandidgi se padh- ( Tarjuma) Agaah ho jao k Allah ke siva har cheez faani hai, Duniya ki saari Ni'amate khatm ho jane wali hai'n,*
*❀"_ Hazrat Shareed Raziyallahu Anhu se ek Safar me ek ke baad ek digar farma'ish kar ke Umayya bin Abi millat ke So Shayr sune, Aakhir me farmaya k ye Shakhs islam lane ke qareeb pahu'nch gaya tha,*
*❀"_ Baaz Awqaat khud bhi ( Khususan Maidaan E Jung me) bila iraada shayr ke andaz per kalmaat farmaye hai'n, Hazrat Hassan aur Kaab bin Maalik Raziyallahu Anhum se Dushmanane islam ke Ash'aar ke jawab me Shayr kehalwate aur kabhi kabhi Hazrat Hassan Raziyallahu Anhu ko Apne minbar per betha kar unse padhwate aur kehte k ye Ash'aar Dushmano ke haq me Teer se zyada Sakht hai, Ye bhi farmaya k- Momin Talwar se bhi Jihaad karta hai aur Zubaan se bhi _,"*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 110,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–50_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥--Chand Mutaharriq Zoqiyaat :- Aakhir me hum baaz Ese khaas Zoqiyaat v Atwaar ka zikr karte hai'n jinhe kisi doosre unwaan ke Tahat nahi liya ja saka, Kisi se cheez lete to sidhe haath se lete aur koi cheez dete to sidhe haath se dete, Khutoot likhwate to sabse pehle Bismillah likhwate, fir mursil ( bhejne wale ka naam ) aur uske niche jisko likha ja raha uska naam hota, iske baad Asal mazmoon likha jata, Khaatme per muhar lagwate,*
*❀"_ Huzoor ﷺ Waham parasti se paak they aur Shagun na lete, Albatta Ashkhaash aur maqamaat ke Achchhe naam pasand aate, bure naam pasand na karte, Safar me Aqamat ke liye esa hi muqaam intekhab farmate jiske naam me khushi ya Barkat ya Kamyaabi ka mafhoom hota, isi tarah Jis Shakhs ke naam me ladayi jhagde ya Nuqsaan ka ma'ani shamil hota use kaam na So'npte, Ese Aadmiyo'n ko naamzad karte jinke naamo me khushi ya Kamyaabi ka mafhoom Paya jaye, Bahut se naamo ko Tabdeel bhi farmaya,*
*❀"_ Sawariyo me se ghoda bahut pasand tha, Farmate ghode ke Ayaal me Qayamat tak ke liye khayro Barkat hai, Ghode ki Aa'nkh Moo'nh naak ko Ahatmaam se Apne haatho se saaf karte,*
*❀"_ Shor Hangama aur Huddang Achchhi na lagti, Har kaam me Sukoon v Waqaar aur nazam v Tarteeb chahte, Namaz tak ke bare me farmaya k Tumhare liye Sukoon v Waqaar Laazim hai, Yome Arfa ko Hujoom tha, bada shor v Hangama tha, Logo'n ko Apne Taziyana se ishara karte hue Nazam v Sukoon ka hukm diya aur farmaya - Jaldi machane ka naam neki nahi hai _," ( Bukhari v Muslim)*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 111,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
★ *Part–51_* ★
*⚂ TARRUF SHAKSIYAT EK NAZAR ⚂*
─━━━════●■●════━━━─
*❥❥-_Akhlaaq:- Huzoor Paak ﷺ ke Akhlaaq ka bayan Yaha'n kisi Zimmi unwaan ke Tahat kiya nahi ja sakta, Waha'n To poori Zindgi Husne Akhlaaq hi ki Tafseer hai, Jiske Mutalliq Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya tha, Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu ka ye Qaul bahut hi jaame hai k "Ahsanul Naas Hone ki Kaifiyat ye thi k kisi ko Umar bhar Takleef nahi pahu'nchayi, ma Siva un baato ke jo Hukme ilaahi ke Tahat thi aur Doosro ki Zyadtiyo per kabhi inteqam nahi liya, Har kisi se Afu ( maaf) farmaya, Yaha'n tak k Makka aur Taa'if ke bedaad giro ko maaf Kiya aur munafiqeen v Ashrar se Darguzar kiya_,"*
*❀"_ Judun Naas hone ka Aalam ye tha k Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu kehte hai'n k Rasulallah ﷺ se jo kuchh bhi kisi ne maa'nga Aapne kabhi na nahi ki, Mojood hua to de diya, kabhi Qarz le kar diya, nahi mojood hua to doosre waqt aane ko kaha ya Sukoot Akhtyar kiya _,"*
*❀"_ Ashjun Naas hone ke liye fil jumla ye Amr kaafi hai k Nazriya Haq ko le kar tane tanha uthe aur Zamane bhar ki Mukhalfato aur Mazalim ke muqable me jame khade rahe, Kabhi kisi khatarnaak Tareen moqe per bhi khof ya kamzori ka izhaar na kiya, Gaare Sor ya uhad v Hunain ke morke har moqe per Yaqeene Muhakkam ka muzahira farmaya _,*
*📔 Mohsin E Insaniyat- ﷺ, 112,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
✍
*❥ Haqq Ka Daayi ❥* http://www.haqqkadaayi.com/
*👆🏻Visit for All updates,*
https://chat.whatsapp.com/DVebQi8m0ex8pmUPCFetos
*👆🏻 What's app Link se Join Kijiye _,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂
Post a Comment