*⚀_вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм _,⚀*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*👀_ JAB AA'NKH KHULEGI _👀*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Insaan Per Guzarne Wale Daur _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_( Tarjuma - Surah Al-Inshiqaq, Aayat 6) :- Ey insaan ! Tu Apne Rab ke paas Pahunchne tak Koshish Kar raha hai, Fir usse Ja milega _,"*
*✪_ Haq Ta'ala Shanhu ne Hume Yaha'n bahut Mukhtasar Waqt ke liye bheja hai aur Ye Zindgi Amal Ke Liye hai, Jesi Karni Wesi Bharni, Achchha Amal Karenge To Achchha Badla milega, aur Khuda na Khwasta bura Amal Karenge ... To fir bura Badla milega _,"*
*✪_ Hum per ka'i Marhale guzar Chuke hai'n aur Ka'i Marhale abhi baqi hai'n, Jesa K irshade ilaahi hai :-*
*"_( Tarjuma,Surah Al -Dahar Aayat -1) insaan per Ek bahut bada Waqt guzar chuka hai, Jabki Wo Qabile zikr cheez nahi tha _,"*
*✪_ Doosra Daur hamare opuer guzra jabki hum Apni Walda ke Shikam me aaye, Allah Ta'ala ne Ajeem nizaam banaya, Qurban jau'n Uski Qudrat per, aur Qurban jau'n Uski Rehmat v inaayat per, Humne Aspatalo me dekha jo bachche waqt se pehle paida ho jate hai'n Unko Ek khaas qism ka Sheesha hota hai, usme rakhte hai'n, Ab har Aadmi jaanta hai k us per kitna kharch hota hai, Lekin Maa'n ke Pet me Wo Saara Nizaam Allah Tabarak Wa Ta'ala ne fit kar diya hai, Kisi ko pata bhi nahi, koi Kharch nahi,*
*✪_ Bahar haal Jab hum Maa'n ke Pet me they To us Waqt hamari haalat esi thi k na hamare Maa'n Baap ko pata tha k ye kya hai, Na Khuda Hume pata tha, Hume to kya pata hota, Chaar Mahine tak mukhtalif Shakle badalte badalte hamare andar rooh daali gayi _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ 4 Maah Guzarne Ke Baad Rizq Likh diya Jata hai :-*
┏───────────────────┯ ✿
*✪__ Hazrat Abdullah bin Mas'oud Raziyallahu Anhu se Rivayat hai, Wo Farmate hai'n k Hume Rasulallah ﷺ ne bayan kiya, Jo Sadiq v masdooq hai'n k:-*
*:➻ "_ Beshak Tumme se Har ek ko Uski Maa'n Ke Raham me 40 Din Tak Nutfa Ki Shakl me, aur 40 Din Tak Jame hue Khoon aur 40 Din Tak Gosht ke Lothde Ki Shakl me rakha jata hai, Fir Allah Farishte Ko bhejte hai'n Jo Usme Rooh daalta hai, aur Use in Chaar Cheezo Ke Likhne Ka Hukm diya Jata hai :-*
*:➻ (1)_ Iska Rizq Kitna hoga ?*
*:➻ (2)_ Iski Zindgi Kitni Hogi ?*
*:➻ (3)_ Iski Maut Kab aur Kaha'n waqe hogi ?*
*:➻ (4)_ aur Ye k Wo Nek Bakht hoga ya Shaqi v Bad Bakht _,"*
*🗂️_ Sahi Muslim -2/ 332,*
*✪__ Ab dekhiye K Maa'n Ke Pet me 4 Mahine guzre hue Hume Kitna Arsa hua, Abhi Allah hi Jaanta hai K Mazeed Yaha'n Kitna rehna hai, To Pehle Din hi Allah Ta'ala ne Rizq Likh diya k Iska Rizq Kitna hai ? Aur ye k Bachcha Kaha'n Kaha'n Firega ? Vagera Vagera, Garz moti moti baate Saari Ki Saari Likh di jati hai'n, aur Aakhir me Farishta Allah Ta'ala se puchhta hai, Parwardigaar ! Ye Nek Bakht hai ya Bad Bakht hai ?*
*✪__ Ab Hamara Naam Kin Logo'n me likha hua hai ? Allah hi Jaanta hai, Farishta Ye Sab puchhta hai aur Puchhne ke baad Fir Bachche me Rooh daal di jati hai, 5 Mahine is Haalat me Aadmi guzaarta hai _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ _Insaani Zindgi Ka Pehla Daur :-*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_"_ ( Surah Bani Israiel - 13-14 Tarjuma):- Aur Har insaan, Humne Latka diya hai Uski Qismat Ka Parwana Uski gardan me, aur Qayamat ke Din hum uske Liye Ek Kitaab kholenge ( Ye Uske Amaal Naame Ki Kitaab hogi ) Jisko Wo faila hua payega aur Kaha jayega : Apni kitaab padh, Tu hi kaafi hai Aaj ke Din Apna Hisaab Lene Wala _,"*
*✪_ Ab Aapki meri aur Duniya Ke Tamaam insaano Ki Jo bhi Qismat hai, Usko Allah Ta'ala ne Parwane ki Shakl me gardan me latka diya, Kitaab kya hai, Hamare Apne A'maal Jo kuchh bhi humne kiya hai, Chhota Amal ho ya bada, Tamam ka Tamam likha hua hai, Allahu Akbar ! Ye to doosre Jaha'n ki baat hui _,"*.
*✪_ Maine Arz kiya k Ek Daur Hum per guzra hai, Jis Waqt mujhe aur Aapko pata nahi tha k Mai'n Kon hu'n? Poore Paa'nch mahine Maa'n Ke Pet me rahe Rooh daal lene ke baad, Chaar Mahine pehle aur Paanch Mahine baad, Lekin ye Daur Jo guzra mere ouper aur Aapke Ouper uska mujhe bhi aur Aapko bhi pata nahi tha, bahar haal iske baad hum Duniya me aa gaye _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻_Insaani Zindgi Ka Doosra Daur _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Ab Yaha'n se Doosra Daur shuru hota ho gaya, Ek daur to tha Maa'n Ke Pet me aane se pehle ka, Doosra Daur tha Maa'n Ke Pet me aane ke baad ka, Teesra Daur hai paida hone ke baad ka, Yaha'n humne is zameen per qadam rakha, Kese Qadam rakha ? Tum jaante ho !*
*✪_ Allama Iqbal Ka Sahyr hai:-*
*"_ Yaad daari K Waqat Zeest Tu, Khanda Bodand v Tu Giriya'n _,*
*"_( Tarjuma):- Tujhe yaad hai k Jab Tu paida hua tha, To Saare Ha'ns rahe they aur Tu ro raha tha,*
*✪_" Bachcha kyu rota hai ? Ye koi usse puchhe Sahabzade rote kyu ho ? Tumne kabhi Doctoro ki Dukano per ja kar dekha hoga, Usme Bachche ka Naqsha kesa bana hota hai, Uska Sar Taango me daba hota hua hota hai, is haalat me bechare ne Maa'n ke Pet ki saari Umr guzari lekin Jab Paida hua to ro raha hai isliye k wo samajhta hai k mujhse bahut Achchhi cheez chheen li gayi, Bas itna hi jaanta hai _,"*
*✪__ Hazrat Maulana Mufti Muhammad Shafi Reh. Ma'arful Qur'an me likhte Hai'n k Bachcha Jab paida hota hai to usko koi hunar nahi aata, Aa'nkhe kholta nahi, Us Waqt Aa'nkhe bhi band hoti hai'n, Thodi tohodi kholta hai, Bolna nahi aata, Apne saath Kapde koi nahi laya, Bhala koi Bachcha Kapde saath Lata hai, .. balki nanga hota hai koi cheez bhi to nahi uske paas, Maa'n ke Pet se kuchh kama ke Laya hai? Maalik ne Maa'n Ke Pet me 5 Mahine Rooh daalne ke baad rakha, Kul 9 Mahine rakha, na Baap ko kuchh pata, na Maa'n ko kuchh pata, na un Sahabzade ko kuchh pata Lekin Haq Ta'ala Shanhu ne Karam farmayi ki Jab paida ho gaya, Ab bolna nahi jaanta, Hilna nahi jaanta, Chal nahi sakta, Ab usko sirf ek Rone ka kaam aata hai aur Bas ...,*
*✪__ Mufti Muhammad Shafi Sahab Reh. Farmate hai'n k Bachche ko sirf ek Hunar aata hai Rone ka aur Koi Hunar nahi aata, Bhook lage to royega, Dhoop lage to royega, Sardi lage to royega, Takleef ho to royega, Garz ye k Bachche ki Tamaam Haajate sirf ek zariye se poori hoti hai wo hai "Rona",*
*✪__ Bachcha jab Rota hai to Maa'n Samajh leti hai k isko fala cheez ki zarurat hai, Ye Daur bhi guzra, iske baad Hum Aahista Aahista rengne lage aur fir kuchh arse ke baad chalne lage, fir mukhtalif Marhale Tay karte hue Hamara Bachpan guzar gaya aur Humne jawani ki dehleej me qadam rakha _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻Insaani Zindgi Ka Teesra Daur_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Hadees me hai k"Jawani Junoon Ki Ek Shaakh hai," Jawani aayi to humne Samjha k na Maa'n ko Aqal hai na Doosre Logo'n ko, Duniya bhar ki Aqal Sirf hamare paas hai aur itni k Apni is Aqal ke zariye se Allah aur Uske Rasool ka bhi muqabla karne lage _,"*
*✪__ Ye Daur bhi guzar gaya, Jawani pukhta hui to Aqal bhi Pukhta hui, 40 Saal ki Umr ko pahu'nche to quwaat me Kami shuru ho gayi, Ab chalte chalte Budhape ki Dehleej per pahu'nche,*
*✪_ Ab rafta rafta yahi haal ho raha hai k Aa'nkhe hai'n magar dekhne ka kaam nahi karti, Kaan hai'n Lekin sunayi nahi deta, Taa'nge hai'n magar bojh nahi uthati, Haath hai'n magar Kaam nahi karte, Meda hai Lekin Hazam nahi karta, Kabhi fala'n Takleef hai bade Miya ko aur Kabhi fala'n !*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻Andekhi Manzile_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪__ Budhapa bahut badi Ni'amat hai, Budhape me Jawani ki saari Lazzate chhoot jati hai'n, Log isse pareshan hote hai'n Lekin Aarifeen kehte hai'n k Budhapa pareshani Ki Cheez nahi, balki Ni'amate Kubra hai _,"*
*✪_ Awwal... Isliye k Duniya se be-ragbati aur uski Lazzato se airaaz Allah Ta'ala ko bahut mehboob hai, Hun ese Kaha'n they k khud Lazzate Duniya ko tark karte ? Allah Ta'ala ne Ahsane Azeem farmaya k humse Laazat ke Samaan Chheen kar Hume Duniya ki Lazzato se be-ragbati ka maza chakha diya, Subhanallah ! Kya Ahsaan hai k hum khud Duniya ko chhodne wale nahi hai'n to zabardasti humse Duniya Chhuda di, Jis tarah Maa'n zabardasti Apne Bachche ka Doodh chhuda deti hai _,"*
*✪__Dom .. Ye k Ab hum Maut Ki Dehleej per khade hai'n, Qabr me Paa'nv latkaye bethe hai'n, marte hi humse Duniya ki Saari Lazzate hi nahi balki khud Duniya hi chhoot jayegi, Budhape ke zariye Allah Ta'ala pehle hi iski mashq Kara dete hai'n,*
*✪__ Som... Ye k Aadmi Budha ho kar Aakhirat ki tayyari shuru kar deta hai, Kyu'nki jaanta hai k ab chal chalao hai, Tauba Tila karta hai, Gunaho ki maafi maangta hai, Jo Kotahiya'n Sarzad ho chuki hai'n unki talafi karta hai, aur Budhape ki badaulat in Cheezo ki tofeeq ho Jana Ahsane Azeem hai, isliye Aarifeen kehte hai'n Budhapa maut ka Qaasid hai, aur jab Qaasid bulawa le kar aa jaye to Aadmi ko chahiye k sab kuchh chhod kar Safar ki Tayyari kare ( Allah Ta'ala tofeeq ata farmaye )*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Pehli Manzil Maut - Maut Ka Marhala _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_"_Yaha'n tak ke marahil to humne Apni Aa'nkho se dekh liye lekin iske baad ke jo Marahil hai'n Wo abhi hamare Saamne nahi, Unme Sabse pehle Maut Ka Marhala hai, Fir Qabr Ka Marhala, Fir Hashr Ka Marhala, Fir Pul Siraat se guzarna hai, Iske baad hamari Manzil aane Wali hai, Jannat Ya Dozakh !*
*✪_"_ Hamari Ye Kamzori hai k Jis Haalat me hum hote hai'n, Uske aage ki hume soch nahi aati, Sabko maloom hai k marna hai, Pehle log bhi mare hai'n, Hum bhi marenge, Duniya ki har cheez me ikhtilaaf hai lekin Maut me ikhtilaaf nahi, Tamaam Musalman aur Gair Muslim is baat per muttafiq hai'n k Aadmi marega Lekin isme fir ikhtilaaf hua k marne ke baad kya hoga? Isme fir jhagda shuru kar diya, To hamari Sabse badi Jo Bimaari hai Wo ye hai k Jis Daur se hum guzar rahe hai'n, Zindgi ke jis Marhale se hum guzar rahe hai'n, Usme hum ese ulajh kar reh gaye k Agle Marahil hamari Nazar se oajhal ho gaye _,"*
*✪_"_ Aan Hazrat ﷺ ne hamare Saamne Zindgi ke naqshe bhi khole, Maut ke waqt Ki haalat bhi bayan faramayi, marne ke baad Dozakh me insaan per jo kuchh guzarti hai usko bayan farmaya, Qabr ke Azaab ko aur Sawab ko bhi Zikr farmaya, Kin Cheezo se Aadmi ke liye maut Asaan ho jati hai ? Aur konsi Cheeze esi hai'n jinse jaa'nkani mushkil ho jati hai? Isko bhi Zikr farmaya, To pehla Marhala jo is zindgi ke baad aane wala hai Wo maut hai _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Maut Ka Zikr _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Aan Hazrat ﷺ ka irshad naqal karte hai'n k:- Lazzato Ko khatm karne wali cheez yani Maut Ko Kasrat se Yaad Kiya karo _," ( Tirmizi -2/54)*
*✪_ Duniya ki Saari Lazzate aur Saari Khushiya'n is na payedaar zindgi tak mehdood hai, Jab Rooh v Badan Ka Rishta toot jayega to Aysho ishrat aur Masarrat v Shaadmaani Ke Saare Asbaab dhare reh jayenge, insaan Ki Gaflat aur Jhooti Lazzato per Qana'at ka Sabab yahi hai k Maut ka bhayanak chehra uski nazar se oajhal hai _,"*
*✪_Agar Gaflat ka gubaar chhat jaye, Maut aur Maut ke baad ka manzar uske saamne rahe to use Duniya ki kisi cheez se dil bastgi na rahe, Marte hi ye saari Cheeze usse chhin jayengi aur Wo Khaali haath ghar se nikaal diya jayega _,"*
*✪_ Jis Chaheti bivi ke liye Apne Deen ko bigada tha, Jis pyari Aulaad ke liye Apni Aakhirat barbaad ki thi, Jin Azeezo Aqarib ki khaatir Apni Aaqbat se beparwah tha, Unme se koi bhi to saath nahi dega, na koi bangla aur maal v Daulat saath jayegi, Qabr ki tang v tareek kothri me usko tane tanha jana hoga, Chand din baad uska jism, Jiske banane sanwarne per ghante lagata tha gal sad jayega aur keedo ki Khuraak banega _,"*
*✪_ Ye hai maut ka Zahiri Naqsha, baqi rahe uski Roohani Sakhtiya'n, Jaan kani ka Azaab, Farishto ka Saamna, Qabr ke Azaab ki kaifiyat, iska andaza to Chashme Tasavvur se bhi nahi kiya ja sakta, Maut ko yaad rakhna bahut zaruri bhi hai aur badi ibaadat bhi, ye Marze Gaflat ka Tiryaaq bhi hai aur Duniyavi pareshaniyo se nijaat ka ilaaj bhi, Ye Aadmi ke liye Raziyana ibrat bhi hai aur Kaleed Sa'adat bhi, Us Shakhs se bada bad naseeb kon hoga jo Apni maut ko bhool jaye ? Allah Ta'ala hume sahi baseerar ata kare _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻Maut Ka Zikr - Allah Ta'ala se Mulaqaat Ka Zariya Maut hai _,"*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_"_ Hazrat Ubada bin Saamit Raziyallahu Anhu Aan Hazrat ﷺ ka irshad naqal karte hai'n k:- Jo Shakhs Allah Ta'ala se Mulaqaat ka ishtiyaq rakhe, Allah Ta'ala uski Mulaqaat ko pasand farmate hai'n, aur Jo Shakhs Allah Ta'ala se Mulaqaat ko Napasand kare, Allah Ta'ala bhi Uski Mulaqaat Ko Napasand farmate hai'n _,"*
*®_ Tirmizi - 2/55)*
*✪_"_ Is Hadees Paak ki Tashreeh Aan Hazrat ﷺ ne Khud hi irshad farma di hai, Sahi Bukhari ki Hadees me hai k Jab Aan Hazrat ﷺ ne ye irshad farmaya to Ummul Momineen Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne arz kiya - Ya Rasulallah ﷺ ! Maut ko humme se har Shakhs nagawaar samajhta hai, Matlab ye tha k Haq Ta'ala se Mulaqaat ka Zariya to Maut hai aur Maut Har Shakhs ko Tab'an Nagawaar hai, To Goya bil waasta Haq Ta'ala se Mulaqaat bhi Nagawaar hui _,"*
*✪_"_Iske Jawab me Aan Hazrat ﷺ ne irshad farmaya k- Ayesha ! Ye matlab nahi, balki Jab Momin ki maut ka waqt aata hai to use Haq Ta'ala ki Razamandi aur Karamat ki basharat di jati hai, Tab uske Liye isse badh kar koi cheez mehboob nahi rehti aur wo Haq Ta'ala se Mulaqaat ka mushtaq ho jata hai aur Allah Ta'ala bhi usse Mulaqaat ko pasand farmate hai'n, aur Jab Kaafir ki maut ka waqt aata hai to use Allah Ta'ala ke Azaab v Saza ki khabar di jati hai, Us waqt Maut aur Maut ke baad ki haalat se badh kar uske Liye koi Cheez Napasandida aur Makrooh nahi hoti, tab Wo Allah Ta'ala se Mulaqaat karne ko Napasand karta hai aur Allah Ta'ala bhi usse Mulaqaat ko pasand nahi farmate hai'n _,"*
*"®_ Sahi Bukhari - 2/923_,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Maut Ko Yaad rakho Magar Maut Ki Tamanna na Karo _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪__Doosri baat ye k Hadees Paak me Maut ki Tamanna se muma'nat farmayi gayi hai, Chunache irshad hau:- Tumme se Koi Shakhs Maut Ki Tamanna na kare, Kyu'nki Agar Wo Neku kaar hai To Shayad wo Apni Nekiyo'n me izafa kar sake aur Bad kaar hai To Mumkin hai use Tauba aur Ma'afi ki Tofeeq ho jaye _,"*
*®_ Sahi Bukhari -2 /1074)*
*✪_ Ek aur Hadees me hai k Allah Ta'ala se Maut na maa'nga Karo aur Agar Sawal karna hi ho to Yu'n dua kiya karo ... Ey Allah ! Mujhe zinda rakhiye Jab Tak Aapke ilm me mere liye Zindgi behtar ho, aur mujhe Wafaat dijiye Jab Aapke ilm me mere Liye Wafaat behtar ho _,"*
*®_ Tirmizi - 1/ 116)*
*✪__isliye Momin ki Shan ye honi Chahiye k Wo har dam maut ke liye Tayyar aur Haq Ta'ala Shanhu se Mulaqaat ka mushtaq rahe Lekin Maut Ki Darkhwast na kare, balki zindgi ki jo mohlat use mayassar hai use ganimat samjhe, Apni Nekiyo'n me izafa kare, aur Jo Gunaah Sarzad hue unse Tauba istagfaar karta rahe, aur Jo Huqooq uske Zimme Wajibu Ada hai'n unse Subukdosh hone ki fikr kare aur Jo Huqooq ab tak zaaya kar chuka hai unki Talaafi ki koshish kare, Taki jab bhi bulawa aaye to jane ke liye bilkul Tayyar beth ho, Haq Ta'ala Tofeeq ata farmaye _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Ye Socho K Aaj meri Maut Ka Din hai_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Farmate hai'n k Jab Subeh Ko utho to ye Samjho k Aaj meri Maut ka Waqt hai, aur goya k Tum Murdo me ja kar Shamil ho gaye ho, Nafs ka ilaaj ho jayega, Saari Rizalato ( Shararato ) ka ilaaj ho jayega Lekin hamare Dil me ye cheez nahi bethti hai _,"*
*✪_ Latifa Mash'hoor hai k Ek Buzurg ne kisi se kaha tha k Tum 7 din me mar jaoge, Wo 7 din me nahi mara to kehne laga k Tumne mujhe to 7 din ka kaha tha, Farmane lage k Saatve din me hi maroge, isliye k Din Sirf 7 hi hote Hai'n _,"*
*☞ __ Maut Ke intezar Ka Qissa :-*
*✪_ Jis Din Molvi Muneer Ahmad Sahab ke Waalid Maajid Ka inteqal hua, Bahawal Nagar me Raat ko farma rahe they k Maine Allah Ta'ala se Dua ki thi k Ya Allah ! Meri maut Do Shamba ( Peer) ko ho, isliye k Huzoor ﷺ ka Visaal Do Shamba ko hua tha, To jabse Magrib ki Azaan hui us waqt se muntazir ho gaye k Malakul Maut aaya chahta hai, Kehne lage k Chaar Payi meri Qibla Rukh kar do aur Chashma lagaya aur Bachcho se kaha k kidhar se aayega Farishta ?*
*✪_ Iske Muntazir bethe hai'n k Kidhar se aayega Farishta? Farishte Ko dekhne ke liye Chashma laga liya, Raat ke 11 baje mujhse farma rahe they k Aap ja kar So jaye'n, Maine Allah Ta'ala se Dua ki thi k Allah Ta'ala mujhe Do Shamba ki Maut Naseeb Farmaye'n, Agar Yahi Do Shamba hai to waqt aa gaya hoga, aur Agar nahi to Do Shambe ( Yani peer ka Din ) Tay hi rahega _,"*
*✪_ Subeh Fajar ki Azaan ho gayi isi intezar me humne Saari raat guzaar di, Maulana Ahmad Sahab ne khush ho kar kaha k Abba Ji ! Wo Aapka Do Shamba to gaya, Kyunki wo khush ho gaye they k Aaj Abba Ji nahi marte kyunki Raat guzar gayi, Magar wo badi Hasrat ke Saath Farmane lage k Fikr na karo , Suraj Guroob na hone dunga, Din ke 11 baje inteqal hua, aur Yahi Waqt Aan Hazrat ﷺ ke Visaal ka Waqt tha _,"*
*✪_ To mere Bhai.! Hum sabne 7 dino me marna hai, Kyunki Hafte me 7 hi din hote hai'n, Aathva din nahi hota, Subeh karo to hamesha khayal Karo k Shayad Aaj hi ka Din meri Maut ka Din hai, Nafs belagaam na hoga _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Maut Ka Farishta ab Tumhare Pichhe hai _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_"_ Hazrat Mujahid Reh. Farmate hai'n k :- Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu ne khutba diya, Usme irshad farmaya k– Ey ibne Aadam ! Beshak Maut Ka Farishta Jo Tum per muqarrar kiya gaya hai wo hamesha Tujhko chhod kar doosro ke paas jata raha jabse Tu Duniya me aaya hai, Aur bas Yu'n samajh le k Ab Wo Doosro Ko chhod kar Tere Paas aane wala hai, aur Wo tere iraade se chala hai, Lihaza Apne bachaav ka Samaan kar lo, iski Tayyari kar lo, Gaflat na karo, isliye k Tujhse Gaflat nahi ki ja rahi _,"*
*"_ Ibne Aadam ! Tujhe maloom hona chahiye k Agar Tu Apni Zaat se Gaflat karega aur Tayyari nahi karega To doosra Aadmi iske liye Tayyari nahi karega, aur Allah Ta'ala se Mulaqaat bahar haal zaruri hai, So Apni zaat ke liye Hissa le aur Usko doosro ke Supurd na kar _,"*
*®_ Kanzul Ummal - Jild -15, Hadees- 4279)*
*✪_"_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jabse tum Paida hue ho Tumne Logo'n ko marte dekha hai, Maut Ka Farishta tum per bhi muqarrar kiya gaya hai, lekin wo Tujhko chhod kar doosro ke paas jata raha Lekin Esa lag raha hai k Ab Tumhara number aa gaya, Ab doosro ko chhod kar tumhare pass aayega matlab ye k Farishte ka aana kisi waqt bhi mutawaqqe hai, Jo Doosro ke paas ja sakta hai, Wo Tumhare pass bhi aa sakta hai, aur jab uska aana Hatmi ( pakka ) aur Laazmi thehra To Tumhe Apni Tayyari karni chahiye, Apna boriya bistar Tayyar rakho taki jab Maut Ka Farishta tumhare pass aaye To Chal pado, aur isse gaafil nahi rehna chahiye _,"*
*✪_"_ Ek Hadees Shareef me Chand Nasihate farmayi gayi hai'n, Unme se ek Nasihat ye bhi hai :-*
*"_ Jab Tum Namaz padhne Ke Liye Khade ho to Yu'n Samjho k Bas Ab ye Tumhari Aakhri Namaz hai ( Jitni bana Sa'nwaar ke padh Sakte ho padh lo )_,"*
*®_ Mishkaat - 245,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻Kya Teeje, Dasve, Chaleesve aur Qur'an Khwani se Teri Magfirat ho jayegi ?*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Kya khayal hai k Baad wale Teesre Din Ya Qul Shareef karwa kar Tumhari Bakhshish karwa lenge ? Tumne Qur'an Majeed zindgi me kabhi khatm nahi kiya, aur na Rozana Tilawat ki Lekin Maut ke Din ya Teesre Din Tumhare liye Qur'an Kareem khatm karwa ke Tum Samajhte ho k Tumhara Qarza Ada ho jayega? Bahle Aadmi humne Apne Liye kuchh nahi kiya To Doosra Tumhare Liye kya karega ? Agar Tum Apne Liye kuchh nahi karoge To Doosra Tumhare liye kuchh nahi karega, aur Tumhe nazar aata hai k ye Log Teeja Dasva Chaleesva karte hai'n, isse Bakhshish ho jayegi, Nahi Bhai ! Ye To mahaz Rasme hai'n_,"*
*✪_ Qur'an Khwani Ka Haal :- Log Kehte hai'n k Ji Qur'an Khwani karwani hai, Qur'an Khwani ka ma'ani hai Qur'an Padhna, Padhna aata bhi hai k nahi ? Poochh lo inse k Tumhe Qur'an Padhna aata bhi hai ? Apne Khayal aur Apne Andaz se Qur'an padhte hai'n, Lekin kabhi Qur'an padha aur Seekha bhi to ho to padhna aaye, Yahi Vajah hai k Qur'an Khwani wale Ek Safe ko do Aadmi padhne lagte hai'n, Ek idhar se ek udhar se, Mere Bhai ! Ye Tilawat hai ya Tilawat ka dhoka ?*
*✪_ Yaad rakho Allah Ta'ala dhoko me nahi aate aur Agar hum tumhe kehte hai'n k Bhai Aqal ki baat karo, Samajh ki baat karo, Tareeqe ki baat karo to fir kehte ho k Hume Rokte hai'n ! Hum tumko nahi rokte Bhai ! Tum karo jo chaho lekin ye maloom hona chahiye k tumhara Tarze Amal galat hai, Kabhi Hafizo ko bitha lete Hai'n aur Unko Ujrat dete hai'n, Ujrat le kar Qur'an Majeed ka padhna, iska to Sawab hi nahi milta, Do Chaar din ye Rasmi Baate karte hai'n, Qul kar liye, Teeja Dasva kar liya, Chaleesva kar liya, fir saal ba saal Barsi per yaad aa gaye, fir bhi ek Aadh program kar liya aur Dost Ahbaab ko ikattha kar kar liya aur khana khila diya to Goya marne wale ka saara farz humne Ada kar liya, Jis Shakhs ki Saath Saal ya Sattar Saal ki Umar hui hai Kya uske Zimme Allah Ta'ala ka bas itna hi Faz tha ? Aur kya wo in Rasmo se Ada ho gaya ?*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Aakhirat Ki Tayyari Kya hai ?_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ To Bhai ! Apne liye khud Tayyari karo, Gaflat na karo, Aap puchhenge k Tayyari kya hai ...? Kya Tayyari Kare'n ? Bhai ! Jin Logo'n ke Huqooq v Fara'iz Tumhare Zimme hai'n unka jayza lo aur Ada nahi kiye to Ada karo, Fara'iz ko zaaya kiya hai to Allah Ta'ala se Tauba karo, aur Aa'inda ke liye un Fara'iz ko zaaya na karne ka Ahad karo, Agar Namaze nahi padhi thi to Namazo ki qaza karo, Roze nahi rakhe to hisaab kar ke usko Ada karo, Hajj nahi kiya to Hajj karo, Kisi se Rishwat li hai, kisi ki koi cheez qabza ki hai, Kisi ke maali Huqooq dabaye hai'n usse maaf karao ya usko Ada karo _,'*
*☞ _ Aakhirat ka Muflis :-*
*✪_ "_ Rasulallah ﷺ ka irshad girami hai :- Jaante ho Muflis kon hai ? Arz kiya gaya - Hum to Muflis usko kehte hai'n jiske paas rupiya Paisa nahi hota ! Farmaya - Nahi ! Meri Ummat ka Muflis Aadmi wo hai jo Namaz, Roza, Zakaat vagera aur bahut Saari Nekiya'n le kar aaye lekin kisi ka maal khaya tha, Kisi ki be Aabrui ki thi, kisi ko gaali di thi, Uska Nahaq maal khaya tha, Uska Nahaq khoon bahaya tha aur usko maara tha, vagera, Bas Uski Nekiyo'n se un Arbaabe Huqooq ke Huqooq Ada kiye jayenge aur kaha jayega k Namaze Wo le jaye, Roze ye le jaye, Zakaat ye le jaye, Garz ye k Saari uski Nekiya'n Ahle Huqooq le jayenge, Fir Uske Huqooq Agar Nekiyo'n se poore ho gaye to theek Varna fir Ahle Huqooq ke Gunaah le kar us per daal diye jayenge aur usko ondhe Moo'nh Dozakh me daal diya jayega ( Ye hai Meri Ummat ka Muflis!)*
*®_ Mishkaat -425,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Apne aur Doosro ke Liye bhi Aakhirat Ka Samaan Kare'n: _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪__ Hamari Haalat ye hai k Hamare Zimme Allah Ta'ala ke Jo Huqooq hai'n unse Gaflat, Bando'n ke Jo Huqooq hamare Zimme hai'n unse Gaflat hai, Garz Gaflat hi Gaflat hai aur iski fikr hi nahi aur Aage kya kya Manzile pesh aane wali hai'n? Hume to marne se pehle pehle ki zindgi ki fikr khaye jati hai aur sataye jati hai k Mehnga'i bahut ho gayi, Bachche kya khayenge ? Kya karenge ? Kya nahi karenge ? Zindgi kese guzarenge ? Are Bhai ! Ye to guzar hi jayegi, Jese Tese guzar hi jayegi Lekin marne ke baad Jo Zindgi Shuru hone wali hai uske liye kya hoga ? Hume iski fikr karni chahiye!!*
*✪__ Momin Aadmi ko doosro ke liye bhi Samaan Karna hoga, Dua istagfaar, isaale sawab Karna hoga, Hamare Hazrat Doctor Abdul Hayi Aarifi Quddus Sahab farmate hai'n k - Aulaad ke Zimme haq hai k Wo har Aathve din Apne Maa'n Baap ki Qabr per jaye, Walden ki Qabr ki Ziyarat kare, Unke Liye isaale Sawab kare, Kuchh padh kar bakhshe, Tamaam Ahle imaan ke liye Bakhshish ki Dua kare aur Jitne Musalman Mard aur Aurte'n Zinda hai'n Unke imaan ki Salamti ke liye dua kare'n k Ya Allah! Imaan Salamat rakh, Khaatma Bil Khayr farma _,"*
*✪__ Hum Log to Apni hi Tayyari se Gaafil hai'n, Doosro ke Liye kya Tayyari karenge ? Doosro ke Liye Tayyari bhi dar asal Apne liye hai, isliye k Jab tum doosro ke liye maa'ngoge to Allah Ta'ala Tumhe pehle ata farmayenge, Doosro ke Liye maafi maangoge to Tumhe Allah Ta'ala pehle Bhala'i ata farmayenge _,"*
*✪_ isliye k Masla hai k... Magfirat aur Bakhshish ki Dua Karni ho to Yu'n kaha jaye :- Ya Allah! Meri Bakhshish farma aur imaan Wale Mardo'n aur Aurto'n ki Bakhshish farma _," is mukhtsar se Fiqre me Goya Tamaam Ahle imaan aur poori duniya ke Musalmano ke liye, Jo Hazrat Aadam Alaihissalam ke zamane se chale aa rahe hai'n aur Qayamat Tak aayenge, Sabke Liye Dua ho gayi _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Allah Ta'ala Se Mulaqaat Ka Haal _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ "_ Farmate hai'n k Allah Ta'ala se Mulaqaat to Laazmi hai ! Marne ke baad Allah Ta'ala ke Saamne Jana hai, Koi Roshan chehra le kar jaye aur koi Na'uzubillah Moo'nh kala kar ke jaye, Allah Ta'ala ki panaah ! Bahar haal jana hai aur Bargahe Khudawandi me Haazri Laazim hai, Hadees Shareef me farmaya gaya hai k :-*
*✪_ "_ Lekin jab Momin Ki Wafaat Ka Waqt qareeb aata hai to uske Paas Allah Ta'ala ki Jaanib se Ek Khush Khabri Sunane wala Farishta Haazir hota hai, aur Jo kuchh Allah Ta'ala ke Yaha'n uska Aizaaz v ikraam hone wala hai usse usko Agaah karta hai, To uske Nazdeek Allah se Mulaqaat se zyada Koi cheez Mehboob nahi hoti, Pas wo Allah se Mulaqaat Ko pasand karta hai aur Allah Ta'ala uski Mulaqaat ko pasand karte hai'n _,"*
*✪_ "_ Raha Faasiq v Faajir ! Jab Uski Maut ka waqt qareeb aata hai to uske paas bhi ek Farishta aata hai Jo use wo Sab kuchh batlata hai jo uske Saath bura Sulook hone wala hai, To wo Allah ki Mulaqaat ko Na-Pasand karta hai aur Allah Ta'ala bhi uski Mulaqaat ko Na-pasand karte hai'n _,"*
*®_ Kanzul Ummal - Jild -15, Hadees- 42198)*
*✪_ "_ Yani Nek Aadmi ki Allah Ta'ala ki Bargaah me Haazri esi hoti hai Jese k Koi Aadmi Apne Watan se door tha, bichhda hua tha, Ek Arse ke baad Apne Ghar me aaya, Jis Tarah usko Apne Ghar walo aur Ahlo Ayaal se mil kar khushi hoti hai, Usi tarah usko Allah Ta'ala se mil kar khushi hoti hai aur Allah Ta'ala ko usse mil kar bhi utni hi Khushi hoti hai, aur Badkaar aur Bure Aadmi ki Haazri ki misaal esi hai Jese koi bhagoda gulam tha, bhaag gaya tha, Aaqa ne Aadmi daudaye aur Kaafi Muddat tak Wo pareshan karta raha leki Aakhir kaar wo Pakda gaya aur use Pakad kar Aaqa ki khidmat me laya gaya, To jis tarah usko Apne Aaqa ke Saamne Saza ke khof se jate hue dar lagta hai, Faajir bhi ese hi Mulaqaat E ilaahi se ghabrata hai, Tab Allah Ta'ala bhi uski Mulaqaat ko Na-pasand karte hai'n_,"*
*✪_ "_ Ab Tum dekho k Allah Ta'ala ke Saamne Tumhari Haazri kese hone wali hai ? Iska Jaayza lete raho, Farmate hai'n k Allah Ta'ala se Mulaqaat to Zaroori hai, Lihaza Tum Apni Zaat ke liye tosha to Tayyar kar lo, aur Us Tosha ki Tayyari ko doosro ke Supurd na karo, isliye k Tum Apna Tosha khud hi baa'ndhoge Tumhara Tosha doosre nahi baa'ndhenge _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Naza Ka Marhala _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪__ Maut Ke Waqt Kon Konsi Sakhtiya'n aati hai'n? Aur Kon Konsi Cheeze esi hai'n Jo Aadmi Ke Naze ko Asaan karti hai'n? Sab Aan Hazrat ﷺ ne bayan farma di hai'n:-*
*☞ __ Maa'n Ki Be Adabi Karne Wale Nojawan Ki Waqia:-*
*✪"_ Ek baar Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me Shikayat ki gayi k Ek Nojawan Teen Din se Naza ki Haalat me hai, Uski jaan nahi nikal rahi, Aan Hazrat ﷺ waha'n Tashreef le gaye, Ye Nojawan Takleef me tha, Usko dekh kar irshad farmaya- iske Maa'n Baap zinda hai'n? Arz kiya gaya k : iski Maa'n Zinda hai ! Farmaya k usko bulao, Uski Walda aayi to usde farmaya - Badi Bi ! Is Ladke ne Tumhare Saath koi gustakhi to nahi ki ? Koi be Adabi to nahi ki ? Kaha nahi ! Ye bada farma bardaar tha, Albatta ek dafa isne mere thappad maara tha _,"*
*✪"_ ( Bahut se Bad Bakht muzi ese hai'n Jo Apne Maa'n Baap ko maarte hai'n, Unko gaaliy'n dete hai'n, Huzoor ﷺ ke Zamane me koi Shakhs Apne Maa'n Baap per haath uthaye ?) Aan Hazrat ﷺ ne irshad farmaya k- Badi bi ! Tum Apne Bete ko Allah ki Raz ke liye maaf kar do ! Kehne lagi Mai'n to maaf nahi karungi kyunki mujhe isse bahut sadma hai, Aan Hazrat ﷺ ne Sahab Kiraam se farmaya - Lakdiya'n jama karo ! Wo Maa'i kehti hai k Lakdiyo'n ka kya karenge ? Farmaya- Tere Bete Ko jalayenge, kehne lagi - Haay ! Mere Bete ko jalayenge? Farmaya- Agar tum isko maaf nahi karogi to Allah Ta'ala isko jalayenge, aur Hamara jalana Asaan hai aur Allah Ta'ala ka jalana sakht hai, Wo Amma fir kehne lagi k - Mai'n isko Dil se maaf karti hu'n! Aan Hazrat ﷺ ne us Nojawan se farmaya k Padh kalma ! Usne kalma padha aur Rooh parwaz kar gayi _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ _Momin Ki Rooh Asaani se Nikal Jati hai _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_"_Huzoor Aqdas ﷺ Ka irshade girami hai k :- Nek Aadmi ki Rooh ese nikal jati hai Jese Nashkiza se qatra girta hai, aur Farmaya k bure Aadmi ki Rooh is Tarah nikalti hai Jese dhuni hui Roo'i ho aur Kaa'nte daar chhadi geeli kar ke uske ouper maari jaye aur fir peet kar ke usko khee'ncha jaye, Ab Wo chhadi to us Roo'i se juda nahi ho Sakti _,"*
*✪_"_ Yahi Haal bure Aadmi ke Naze ka hai, Uske Rag v Reshe me Rooh Sarayat kar jati hai, Ek Ek rongte me chhipne ki koshish karti hai, Usko Khee'nchte hai'n to ek ek Rongte ko Takleef hoti hai _,"*
*✪_"_ Ya Allah ! Hamare liye Naze ko Asaan farma de, Bahut se Allah ke Bande ese hai'n Jinke Liye Allah Ta'ala us Waqt ko Asaan farma dete hai'n ( Allah Ta'ala hamare Liye bhi us waqt ko Asaan farmaye, imaan per khatma farmaye aur Naze ko Asaan farmaye, Aameen )*
*✪_"_ Aur bahut se bande ese hai'n k Naze ke waqt unki Saari Umr ki Lazzate khatm ho jati hai, Allah Ta'ala isse panah me rakhe _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ _Maut Ki Sakhti Ko Yaad rakho _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_"_ Ye Maut Ka pyala itna Kadwa hai k iski Talkhi baaz Logo'n ko Hashr tak baqi rahegi, Allah Ta'ala panah me rakhe, Hum zindgi guzarte hue is tarah gafil ho jate hai'n k kabhi ye khayal bhi nahi aata k iska Asar hamari maut per to nahi Waqe hoga ?*
*✪_"_ Duniya me Dosti karte hue, Duniya me mamlaat karte hue, Duniya me naqal harkat karte hue, Chhup kar ya Elaniya gunah karte hue, Hum is baat se Gaafil hote hai'n k uska Anjam maut ke waqt kya hoga ? Marne wale ko log kalma ki Talqeen kar rahe hai'n, Yani ird gird bethe hue log usko qalme ki Talqeen karte hai'n Lekin kisi ko pata nahi k wo Kaha'n fasa hua hota hai ?*
*☞ __ Shaikh Ataar Reh. Ka Waqi'a :-*
*✪_"_ Shaikh Ataar Reh. Bahut bade buzurg hue hai'n, Dawa farosh aur Pansari they, Ek martaba Ek Shakhs unki Dukaan per aaya, Kandhe ke ouper Goddi rakhi hui thi, kabhi idhar dekhta aur kabhi udhar dekhta, Shaikh Ataar usse farmate hai'n k Miya'n! Kya dekhta hai ? Kehne laga k Mai'n dekhta hu'n k Jo Rooh itni Sheeshiyo me fa'nsi hui hai, Ye kese niklegi ?*
*✪_"_ Shaikh us waqt Duniyadaar Aadmi they, Allah ne unki Hidayat ke liye un Sahab ko bheja tha, bitha kar kehne lage k jese Teri nikal jayegi, Wese hamari nikal jayegi! Usne kandhe per rakhi hui goddi bichhayi, let gaya aur kaha k - Hamari to Yu'n nikal jayegi! Ek lamha me rukhsat ho gaya, Shaikh per is Waqi'a ka esa Asar hua k Dukaan luta di aur Allah Ta'ala ke Raaste ki talash me nikal khade hue, Baad me Allah Ta'ala ne unko bade martabe ata farmaye _,"*
*✪_"_ Bahar haal insaan per maut ke Marhale ke baad Qabr ka Marhala aata hai aur Aqalmamd hai Wo Shakhs Jo Agle Marahil ki Tayyari kar ke jaye _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ _Sabse badi Danayi _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_"_ Hazrat Hasan Reh. Farmate hai'n k Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu ne Logo'n ko khutba diya aur Allah Ta'ala ki Hamd v Sana ke baad farmaya - Logo'n! Allah se daro ! Kyunki Allah Ta'ala se Darna ganimat ki cheez hai, aur sabse Hoshiyar aur Daana Aadmi wo hai Jo Apne nafs ko Allah Ta'ala Ke Ahkaam ka paband kare aur Maut Ke baad ki Zindgi ke liye Amal kare, aur Qabr ke Andhere ke Liye Allah Ta'ala ke Noor me se Kuchh Noor haasil kar le _,"*
*✪_"_ Bande Ko isse Darna chahiye k Qayamat ke din Allah Ta'ala usko Andha uthaye halanki wo dekhne wala tha, Hakeem aur Daana Aadmi ke liye Chand Mukhtasar kalmaat kaafi hai'n, aur Behra to Yu'n lagta hai k Wo Sunta nahi hai, Khoob Jaan lo ! K Jis Shakhs ke saath Allah ho, Wo kisi Cheez se nahi darta aur Allah Ta'ala Jis Shakhs ke muqable me ho Wo fir iske baad kisi se Ummeed rakhega ?*
*®_ ( Kanzul Ummal -16/44251)*
*✪_"_ Doosri Rivayat me farmaya k Logo'n! Allah Ta'ala se daro, Taqwa Akhtyar karo isliye k Allah Ta'ala se Darna ganimat hai _,"*
*✪_"_ Hadees Shareef me farmaya hai k : sabse Ou'nchi hikmat aur hikmat ka sila Hikmat ki choti Allah se Darna hai, Jo Shakhs Allah Ta'ala se nahi darta usme Hikmat nahi hai, aur Yahi Buniyad hai Tamaam Nek A'amal ki aur Tamaam bure A'amal se bachne ki _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Azaabe Qabr Ka khof _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_"_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se Mishkat Shareef me Hadees hai k :- Hazrat Usman Raziyallahu Anhu Kabhi Kabhi Qabristan jate To itna Rote k Daadhi Mubarak tar ho jati, Arz kiya gaya k Hazrat ! Aap jannat aur Dozakh ka Tazkira Karte Hai'n to itna nahi rote Jitna k Qabr ko dekh kar rote hai'n ?*
*"_ Irshad dlfarmaya :- Maine Rasulallah ﷺ ko ye farmate hue suna hai k Qabr Aakhirat ki Manzilo me se pehli manzil hai , Jo Shakhs Yaha'n Nijaat pa gaya wo in Sha Allah aage bhi Nijaat pa jayega, Jo yahi fan's gaya usse Aage ki kya tawaqqo hai, Uske bare me kya tawaqqo hai ?*
*®_ (Mishkaat Sharif-22)*
*✪_"_ Ye to pehli manzil hai, Qabr se le kar Jannat tak Barzakh ka Faasla, Qayamat se pehle pehle Ka Faasla aur Qayamat ke din ka Pachaas Hazaar Saal ka Faasla aur Khuda jane isme kitni manzile aane wali hai'n, Kya Kya Halaat pesh aane wale hai'n, Jo gareeb pehle Marhale me pakda gaya wo Aage kya karega ? Haq Ta'ala Shanhu hamari hifazat farmaye, Allah Ta'ala hum Sabki qabro ko munawwar farmaye, Qabr ke Azaab se aur Jo Cheeze Azaabe Qabr ko Saabit karne Wali hai'n, Allah Ta'ala hume unse bachaye, Aameen _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ _Azaabe Qabr Ke Asbaab _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Azaabe Qabr Ke Mutalliq Ek Doosri Hadees Shareef Ke Alfaaz Ye hai'n:-*
*"_ Aan Hazrat ﷺ Tashreef le ja rahe they Farmaya - Ye Do Qabre hai'n, in dono Qabr Walo ko Azaab ho raha hai, Kisi badi baat per inko Azaab nahi ho raha, inme se ek Chugal Khori kiya Karta tha _,"*
*( Aapki baat mere paas aa kar lagayi aur meri baat Aapke Paas ja kar lagayi, Ye Bimaari Aam ho gayi hai, Jese Taoun Ki Shakl Akhtyar kar gayi hai, Wabayi Shakl Chugal Khori karna aur Geebat karna Ye Cheeze Mojibe Azaabe Qabr hai )*
*"_ Ye Doosra Aadmi Peshab Se Ahatyaat nahi Karta tha _,"*
*®_ Bukhari - 1840,*
*✪_"_ Ye Jitne Pent pehanne wale hai'n, Sab ese hi hai'n, inko na istanje ki zarurat pesh aati hai, na dhele ki, khade ho kar peshab kar lete Hai'n aur fir Yu'n hi foran band kar lete Hai'n, To Jin Do Aadmiyo'n per Azaab ho raha tha unme ek To Peshab ke Chheento se Ahatyaat nahi Karta tha, Peshab Aadmi ka ho ya Jaanwaro Ka, usse Ahatyaat Laazmi hai _,"*
*✪_"_ Aur Doosra Lagayi Bujhayi Karta tha, Yani idhar ki udhar, aur Udhar ki idhar pahu'ncha kar Chugal Khori karta tha, Ye bada Jurm hai, isse Ahatyaat karo k ye Azaabe Qabr ka Mojib hai _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Qabr Jannat Ke Bagicha Ya Jahannam Ka Gadha hai_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_Iske baad Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya k Aan Hazrat ﷺ ne farmaya - "Qabr Jannat Ke Bagicho me se Ek Bagicha hai, Ya Dozakh Ke Gadho me se ek Gadha hai _,"*
*✪_" Na'uzubillah Summa Na'uzubillah ! Allah Ta'ala hamari Qabro ko Jannat Ke Bagicho me se ek Bagicha banaye, Dozakh ke Gadho me se Gadha na banaye _,"*
*☞ _" Azaabe Qabr Ka Sawal Himakat hai :-*
*✪_" Aaj Kal Bewakoof Log ye Puchhte Firte hai'n k Qabr me Azaab hota bhi hai ? Allah ke Bando'n! Tum kis Chakkar me pad gaye ho ? Shaitaan ne Tumko kis Chakkar me daal diya hai ? Tumko Rasulullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam Ki baat per aitbaar nahi raha ?*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ _Shukr Karo K Azaabe Qabr Sunayi nahi deta _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Kehte hai'n K Hume Sunayi Kyu nahi deta ? Ye us Mehboob ﷺ Ki Wajahat Ke Tufel hai k Azaabe Qabr Sunayi nahi deta, Kyu'nki Aan Hazrat ﷺ ne farmaya k Tumse Ban na Padti Tumhari Zindgi Ajeeran ho Jati, Agar Tum Qabr Ka Azaab Sun Lete _,"*
*✪_"_ Aap ﷺ ne irshad farmaya:- Agar Mujhe ye Andesha na hota K Tum Apne Murdo'n Ko Qabro me Dafan Karna Chhod doge To Mai'n Allah Ta'ala se Dua Karta k Tumhe Suna de Jo Mai'n Sunta hu'n _,"*
*®_ Mishkaat - 25,*
*✪_"_ Qabr Ka Azaab Jo Qabristan me ho raha hai, Agar Tumhe Sunayi deta to Tumhe Qabristan me Qadam rakhne Ki Jurrat na hoti, Ye Us Mehboob ﷺ Ke Tufel hai k Allah Ta'ala ne Parda daal diya, is per Shukr karne ki bajaye Ulta kehte hai'n k Hume Sunayi Kyu nahi deta? Sheeshe Ke Makaan me Aadmi band ho to Awaaz aage nahi jati, Wo udhar se sun raha hai, dekh raha hai, Magar Awaaz nahi pahu'ncha Sakta, Tumhara ye Sheesha Awaaz ko rok deta hai _,"*
*✪_"_ To Fir Allah Ta'ala ne Barzakh ka Parda daal diya hai aur Wo Rok raha hai To tumhe Kyu Tajjub ho raha hai ? Tum kyu israar kar rahe ho k Hume dekhna Chahiye aur hume Sunna Chahiye To hum maane ! Zara thehar jao, Thoda waqt hai, Tum per bhi ye Marhala aayega, Fir Achchhi tarah Tajurba kar lena, Yaha'n Tum Rasulallah ﷺ ke kehne se nahi maante To Tajurba ho jayega, Fikr na karo, isme Jaldi ki kya baat hai ? Balki Fikr iski Tayyari ki karo, Waha'n sirf Nek A'amal hi kaam aayenge _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻_Qabr me Sirf Nek A'amal hi Kaam Aayenge _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Rivayat hai k Rasulallah ﷺ ne ek din Apne Sahaba se farmaya :- Jaante ho Tumhari Misaal aur Tumhare Ahal v maal aur Amal ki Misaal kya hai ? Arz kiya: Allah Ta'ala aur uske Rasool ﷺ behtar jaante hai'n? Farmaya - Tumme se ek ki Misaal aur uske Maal aur Aal v Aulaad aur Amal ki Misaal esi hai k Ek Aadmi ke Teen Bhai they, Jab uski Wafaat ka aaya to usne ek Bhai ko bulaya aur kaha k Mujh per jo haalat taari hai, Wo tum dekh rahe ho, Bata'o ! Tum mere liye kya kar sakte ho ?*
*"_Usne Kaha k Mai'n ye kar sakta hu'n k Teri Timaardaari karu'n aur Teri Jo haalat hai us per din raat khada rahu'n, Jab Tu mar jaye to tujhe Gusl du'n, Kafan pehna'u aur uthane walo ke saath tujhe uthau'n kabhi uthau'n aur kabhi kandha hata du'n, aur Jab Mai'n tujhe dafan kar ke waapas aa jau'n to Logo'n ke Saamne Teri Tareef karu'n, Jo bhi mujhse Tere bare me puchhe ( Ye Bhai uske ghar ke log yani Bivi aur Bachche hai'n)_,*
*✪_( Aap ﷺ ne Sahaba se Sawal kiya k ) Tum is Bhai ke bare me kya raay rakhte ho ? Unhone kaha - Ya Rasulallah ﷺ! Hum nahi sunte koi esi cheez jisme koi munf'at (nafa) ho ! Aap ﷺ ne irshad farmaya - fir wo Apne doosre Bhai ke bare me kehta hai k : mujh per jo haalat aayi hai, tum dekh rahe ho, Bata'o tum mere liye kya kar sakte ho? Wo kehta hai k - Tumhare liye mere paas koi kaam ki cheez nahi, Magar jab tak tum zindo me Shumar hote ho, Jab Tum mar jaoge to Tumhara Raasta doosra hoga, Mera Raasta doosra !*
*✪_( Aap ﷺ ne irshad farmaya) Ye uska Doosra Bhai hai, Jisko Maal kehte hai'n, Bata'o ! Tum isko kesa dekhte ho ? Sahaba ne arz kiya- Ya Rasulallah ﷺ ! Kuchh kaam ka nahi ! Fir Aap ﷺ ne farmaya k Wo Teesre Bhai se kehta hai k Mujh per Jo Haadsa Naazil hua hai aur mere Ahle khana ne aur mere maal ne Jo jawab diya hai wo Tumne Sun liya hai, Tum Bata'o k tum mere liye kya kar sakte ho? Wo kehta hai k:- Mai'n Tera Rafeeq rahunga Teri Lahad me, Tera monnis aur gam khwar rahunga, Teri Wehshat me, aur Mai'n beth jaunga Wazan ke din tere Tarazu me ( aur tere Tarazu ko bhaari kar dunga )_,"*
*✪_ (Aap ﷺ ne farmaya) Ye uska Wo Bhai hai Jisko Amal kehte hai'n, iske bare me Tumhara kya khayal hai? Sahaba ne arz kiya k - Ya Rasulallah ﷺ ! Bahut hi Achchha Bhai hai aur Bahut hi Achchha Rafeeq hai ! Farmaya k - Fir maamla Yu'n hi hai _,"*
*®_( Kanzul Ummal - Jild 15, Hadees 42981)*
*✪__ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n K Aan Hazrat ﷺ ka irshad sun kar Hazrat Abdullah bin Kurz Raziyallahu Anhu khade ho gaye, Kehne lage :- Ya Rasulallah ﷺ ! Kya Aap mujhe ijazat denge k Mai'n is per kuchh Ash'aar bana kar pesh karu'n? Aap ﷺ ne farmaya - Zaroor! Wo chale gaye, Ek raat rahe, dobara waapas Huzoor ﷺ ki khidmat me aaye aur Aapke Saamne khade ho gaye, Log bhi jama ho gaye, Unhone Nazm padhi k :- ( Tarjuma)_ Beshak Mai'n aur Mere Ahle khana aur Wo Amal jo Aage bheja uski Misaal esi hai k Ek Shakhs Apne Rafqa ko bulaye fir wo kahe Apne Teen Bhaiyo'n se k Aaj jo Haal mujh per pesh aaya hai, Usme meri madad karo ! Taweel judayi hai aur Aa'inda ka kuchh Maloom nahi k mere saath kya hoga ? Ab jo Hawadis mere saamne pesh aane wale hai'n, Bata'o k Tumhare paas iska kya ilaaj hai ?*
*✪_ "_ Unme se ek ne kaha - Mai'n Tera Rafeeq hu'n, Teri ita'at karunga, aur Tu Jo bhi kahe Tera kehna manunga, Lekin maut aane se pehle pehle, Jab Hudayi Waqe ho jaye to Hamare Darmiyan jo Dosti hai Wo khatm, Jo kuchh Lena chahta hai mujhse is waqt le sakta hai, Kyunki Tera jab inteqal ho jayega to mujhe kisi doosre Raaste me jayenge, Agar Tu mujhe baqi rakhna chahta hai to baqi na rakh, balki mujhe kharch kar de, aur Jaldi kar, maut ke aane se pehle pehle mujhe kharch kar de _,"*
*✪_ "_ Ek ne kaha - Mai'n tumse bahut Muhabbat karta hu'n, aur Logo'n ke Darmiyan jab muqabla hota hai Mai'n tumhe Tarjeeh deta hu'n, Meri khidmat ye hai k Mai'n tere liye Din Raat khair khwahi aur mehnat karunga, Jo Bimaari aur pareshani ho, lekin jab Tu mar jayega To tere ouper ro'unga aur been karunga, Koi Tera naam lega to uske Saamne Teri Tareef karunga, Jo tujhe rukhsat karne jayenge Mai'n unke saath jaunga aur Kandha dene walo me Kandha dene ki madad karunga, aur meri ye khidmat Qabr tak rahegi Jisme Tu dakhil kiya jayega, Jab Tu Apni Qabr me chala jayega to Mai'n waapas aa jaunga Kyunki mere aur bahut saare masa'il hai'n aur Mai'n tujhe esa chhod kar aa jaunga k Goya mere darmiyan aur tere darmiyan dosti nahi thi aur na koi husne maamla tha, Bas ! Ye Aadmi ke ghar ke log hai'n, Bivi Bachche aur ye unki khidmat hai aur ye cheez agarche wo kitne hi Harees ho'n lekin mufeed nahi hai _,"*
*✪_ "_ Unme se ek ne kaha k - Mai'n Tera esa Bhai hu'n k mujh jesa Bhai masa'ib ke Naazil hone ke waqt nahi dekha hoga , Tu Qabr me jayega to Tu waha'n Mujhe betha hua payega, Tujhse munkar nakeer jhagda karenge To Mai'n jawab dunga, aur Wazan ke din Mai'n us palde me beth jaunga Jisme tu hoga, aur us palde ko bojhil karne ki koshish karunga, So tu mujhe bhool nahi aur mere martabe ko pehchan le, isliye k Mai'n tujh per Shafeeq hu'n, Tera Khair khwah hu'n, Kisi Waqt Teri madad chhodne wala nahi hu'n, Bas ye Bhai har wo nek Amal hai Jo Tune aage bheja Tu usko payega, Agar Tune neki ki, Mulaqaat ke din ke liye_,"*
*✪_ "_ Ye irshad Sun kar Rasulullah ﷺ ro pade aur Sahaba kiraam bhi roye, Hazrat Abdullah bin Kurz Raziyallahu Anhu Jab bhi Sahaba ke kisi majme ke paas se guzarte they, Wo Hazraat inko bulwate aur inse ye Ash'aar padhwate, Jab ye Shayr padhte to sabke sab ro padte _,"*
*®_ Kanzul Ummal - Jild 15, Hadees -42981,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻_Ibne Aadam Ka Maal -Bewafa Dost _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Aan Hazrat ﷺ ki Ye Hadees ( Jo part -25-26 me guzar chuki ) Kahi'n Mukhtasar aur Kahi'n Lambi, bahut Saari Kitaabo me mojood hai, aur isme Aan Hazrat ﷺ ne Aadmi Ke Maal aur Uske Ahal v Ayaal aur Uske A'amaale Saleha ki Misaal bayan farmayi hai, is Misaal me Aan Hazrat ﷺ ne Ye baat Samjhayi hai k Sabse Zyada bewafa dost maal hai k Tumhari Zindgi me to Tumhare Kaam ka hai Lekin Jab Rooh Badan se Alag ho jaye to doosre ke paas chala jata hai, Tumhare paas rehta hi nahi _,"*
*✪_ Ek Hadees Shareef me Aan Hazrat ﷺ ka irshad marvi hai :- Aadam Ka Beta kehta hai k - Mera Maal ! Mera Maal ! Aadam ke Bachche! Tere Maal me se Sirf Tera Maal Wohi hai Jo Tune Kha Liya aur Kha Kar Khatm Kar diya, Ya Tune Pehan Liya aur Pehan Kar Bosida kar diya, Ya Tune Aage bhej Kar Apne Liye Jama Kar Liya, aur in Teeno Cheezo ke Alawa baqi Jitna Tera Maal hai Tu Usko Doosro Ke Liye Chhod Kar Chala Jayega, Wo Tera Nahi !*
*®_ Mishkaat -440,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ _Ahal v Ayaal Qabr me Kaam na denge _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_"_ Aur Ahal v Ayaal ke bare me Yu'n Farmaya k Qabr Ke Kinaare tak saath dete hai'n, Aadmi marne wala ho, Maut v Hayaat Ki Kashmkash me ho to ye Apni Had tak Uski Jaan bachane Ki Koshish Karte Hai'n, Jo khidmat ye kar Sakte hai'n Uske Karne Ki Koshish Karte Hai'n, Kabhi Kisi ko Naseeb hai aur Kisi ko nahi, Mar gaya to Gusl aur Kafan ka intezam kar diya aur Kandhe Badal Badal kar Qabr Tak pahu'ncha diya, Qabr me lita kar ouper hazaro man wazan daal diya, Taki bhaag na aaye, Chand Roz ro dho liye, Kuchh Apni Rasmo Rivaaj ke mutabiq taqribaat kar liye aur Koi Taziyat ke liye aaya to uske Saamne Tareefe kar di aur bas ! Allah Allah khayr Salla ! Qissa khatm, Lekin Qabr me us per kya guzar rahi hai ? Iska kisi ko kuchh maloom nahi ! Akbar ilahabaadi ke Ba-qaul :-*
*"_ Hume Kya Jo Turbat per Mele rahenge ? Tahe Khaak hum to Akele rahenge!*
*✪_"_ Bahut se Log esa karte hai'n k Qabr Pakki bana dete hai'n, Ouper Makbara bana dete hai'n, Bhala Murde ko iska Kya Fayda ? Kya isse uski Magfirat ho jayegi ya Usko Thandak pahuchegi ? Ulta khilafe Shari'at karne se Andesha Takleef hai _,"*
*✪_"_ Ek Rivayat me hai k Kehte hai'n k Hazrat Hasan bin Hasan bin Ali Reh. Ka inteqal hua to unki Ahliya Ko bahut Sadma hua aur Ja kar unki Qabr per dera laga diya, Logo'n ne bahut mana kiya magar Wo maani nahi, Kehne lagi k mujhse bardasht nahi ho raha, Ek Saal tak Qabr per padi rahi fir uth kar chali gayi, aur usne ek Awaaz suni k koi keh raha hai k Kya Jisko inhone gum paya tha Kya wo inko mil gaya, doosre ne jawab diya, nahi ! balki mayoos ho kar laut gaye _," ( Mishkaat -152)*
*✪_"_ Ye Tumhari Aaho Zaari mayyat ke kuchh kaam nahi aayegi, isliye k Ye Tum Apne liye karte ho, uske liye kuchh nahi, Ye Teeja aur Dasva'n karo, Chehallam karo ya Barsiya'n mana'o Ye Sab Kuchh tum Apne Liye kar rahe ho, marne wale ke liye kuchh bhi nahi karte, Rivaaj ye bhi hai k Ba qaaida Shadi ki tarah Dawate karte hai'n, Tamaam Azeezo Aqarib ko bulate hai'n, Bakre kaate jate hai'n, badi thaat ki dawat karte hai'n, Garz ye k Ahlo Ayaal ban than kar ke waha'n aa gaye, Mayyat kis haal me hai ? Us per kya guzar rahi hai? Unki waha'n tak na rasayi hai aur na koi unki khidmat kar sakta hai, Uske liye to Ab Mushkilaat shuru hui hai'n, Ab pata nahi khatm kab hogi _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Qabr Ki Pukaar _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_"_ Hadees Shareef me farmaya hai k Qabr Aadmi Ko Rozana Pukarti hai, Tirmizi Shareef ki Ye Hadees hai, Qabr Kehti hai :-*
*➻"_ Mai'n Tanhayi Ka Ghar hu'n, Mai'n Mitti Ka Ghar hu'n, Mai'n Keedo Ka Ghar hu'n _,"*
*®_ Tirmizi - 2/29,*
*✪_"_ Kaha Jata hai k Qabr Rozana Paa'nch martba Pukarti hai, aur Tumhare Liye Rozana Paa'nch hi Namaze Muqarrar Ki gayi hai'n, Taki Tum Aakhri Attahiyat me ye Dua padho :-*
*➻"Allahumma inni Aa'uzubika minal Kasli wal Harmi Wal Ma'sami Wal Magrami Wa min Fitnatiil Qabri Wa Azaabil Qabr Wa min Fitnatin Naari Wa min Azaabin Naari Wa min Sharri Fitnatil Gina wa Aa'uzubika min Fitnatil Qabri Wa Aa'uzubika min Fitnatil Masihihil Dajjaal ..,*
*➻"_ ( Tarjuma) Ey Allah ! Mai'n Panaah maa'ngta hu'n Susti se, Budhape se, Gunaaho se, Qarz se, Qabr Ke Fitne se, Qabr ke Azaab se, Aag ke Fitne se, Dozakh ke Azaab se, Maaldaari Ke Fitne ke Shar se, aur Mai'n Panaah maa'ngta hu'n Tanhdasti ke Fitne se aur Mai'n Panaah maa'ngta hu'n Kaane Dajjal ke Fitne se _,"*
*®_ Bukhari -3/943,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻_Azaabe Qabr _______,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪__ Ek Rivayat me hai:- Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n:- Ek dafa Ek Yahoodi Aurat mere paas aayi, Usne Qabr ka zikr chhed diya, Fir kehne lagi - Allah Ta'ala tujhe Azaabe Qabr se Panaah ata farmaye ( Maine Azaabe Qabr ki baat kabhi nahi suni thi, Mai'ne kaha - Kya Azaabe Qabr hota hai ?)*
*✪_ "_ Aan Hazrat ﷺ ghar Tashreef laye to Maine Qabr ke Azaab ke bare me puchha, Aap ﷺ ne farmaya:- Qabr ka Azaab Barhaq hai ! Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha irshad farmati hai'n k - us Waqie ke baad mujhe yaad nahi k Aan Hazrat ﷺ ne kabhi Namaz padhi ho aur usme Azaabe Qabr se Panaah na maa'ngi ho _,"*
*®_ Mishkaat-25 _,"*
*✪_ "_ To Garz ye k us Doosre Bhai aur Rafeeq se muraad Bivi hai, Bachche hai'n, Azeezo Aqarib hai'n, Dost Ahbaab hai'n, Ye Murde ko Qabr ke Supurd Kar ke chale aaye aur Aa kar Apne Apne Kaamo me lag gaye, Unka Sabse bada Kaarnama ye hai k us per Do Chaar Din Aa'nsu Baha lete Hai'n aur Kuchh Logo'n Ke Saamne uski Tareef kar dete hai'n k bahut Achchha Aadmi tha _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Murde Ki Beja Tareef Per Azaab _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Baaz Awqaat Tareef bhi Gair Waqa'i karte hai'n, Waqa'i Tareef nahi karte, Ye itna kamata tha, itna khata tha, Ye karta tha, Wo karta tha, Hadees Shareef me aata hai k Jab Uski Tareef karte hai'n aur Jhooti Tareefo ke pul baa'ndhte hai'n to:- Allah Ta'ala marne wale per Do Farishte muqarrar kar dete hai'n aur Wo dono murde ko Choke de kar kehte hai'n: Tu esa hi tha ?*
*®_ Mishkaat -152,*
*✪_ Lijiye Ahlo Ayaal, Bivi Bachche aur Dost Ahbaab ab bhi us Gareeb ka peechha nahi chhodte, balki kehte hai'n k usne Ghar ke liye ye ye cheeze khareedi thi, Telivision laye they, fala'n fala'n cheez laye they, Duba'i gaye they, Bahut badi Masheen laye they aur fala'n fala'n cheeze le kar aaye they, Qabr me un Cheezo ko puchhenge, Tareefe to karte hai'n magar esi fizool v muhamil aur bilkul lagv, jisse us Gareeb ki takleef me mazeed izafa ho jata hai,*
*✪_ Unke Moo'nh se ye nahi nikalta k Tahajjud ki Namaz padhte they, Unke Moo'nh se ye nahi nikalta k Sahar ke waqt me Allah Ta'ala ke Saamne gidgidate they, Allah Ta'ala ke Saamne roya karte tha, Kisi ka haq nahi maarta tha, Kisi ke saath na insaafi nahi karta tha, Fara'iz Shara'i ka paband tha, Allah Ta'ala ka nek Banda tha, Ye baate unke Moo'nh se nahi nikalti _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Murde Ki Waqa'i Achchhaiya'n Bayan Karo : _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪__ Agar Ye Baate kare'n to unki ye Baate karna aur Tareef karna Allah Ta'ala ke Yaha'n Shahadat ban jati hai, Wo Mash'hoor Hadees hai:-*
*"_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Aan Hazrat ﷺ ke paas se ek Janaza guzra, farmaya - Waajib ho gayi ! Ek aur janaz guzra, farmaya - Waajib ho gayi !*
*"_ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne arz kiya - ( ya Rasulallah ﷺ ! Do janaze guzre, dono per Aapne farmaya - Waajib ho gayi!) Kya Waajib ho gayi ?*
*✪_ Aap ﷺ ne irshad farmaya - Pehla Janaza guzra to tum logo'n ne uski Achchhi tareef ki k ye Bahut Achchha Aadmi hai, Nek Aadmi hai, Maine kaha k Waajib ho gayi, yani Jannat Waajib ho gayi aur jab doosra Janaza guzra to tumne doosri qism ki raay ka izhaar Kiya, munafiq tha, bada Zaalim tha, Maine kaha k - Waajib ho gayi, Yani Jahannam Waajib ho gayi, Tum Allah Ta'ala ke gawaah ho Zameen me, Yani Tumhari Shahadat Ke Mutabiq Allah Ta'ala faisla farmayenge _,"*
*®_ Mishkaat - 145,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ A'amaale Saleha Ki Wafadaari _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Usne Teesre Dost Ko bulaya, Teesre Rafeeq Ko bulaya, Ye uska Amal tha, Usse kaha - Mujh per Jo haalat taari hai tum dekh rahe ho, Naza ka Saamna hai, Rooh aur Badan ki Alahaidgi ho rahi hai, aur ek bilkul Naya Safar Darpesh hai, Nihayat Taweel Safar aur Andekhe Raaste, Bahut hi pareshani aur bechaini hai k Mera kaun saath dega ?*
*✪_"_ Ye Jo mere maal ne jawab diya wo bhi tumne sun liya aur mere Ahlo Ayaal ne Jo jawab diya hai wo bhi tumne sun liya hai, Unhone Saaf Saaf jawab de diya hai k Hum Aapki koi madad nahi kar sakte, Na Aapke Saath rafaqat karenge na Aapke saath jayenge, na Aapke Saath Qabr me utrenge, Tum Bata'o! K tum kya karoge ?*
*✪_"_ Kehne lage k Tum Agar mujhe Saath le jao to pehli baat ye hai k har moqe per tumhari madad karunga, Naza se le kar mizaan tak, Qayamat ke din, Hashr ke din, Mizaan yani Tarazu jo rakhi jayegi us waqt Tak Mai'n Teri madad karunga, Tere Saath rahunga aur Tera monnis v gamkhwar banunga, Teri Tanhayi per Akelepan ko door karunga, Mujhse ho saka to roshni bhi karunga, Koi tujh per Hamla Aawar hoga to jawab bhi dunga, Mudaf'at bhi karunga,*
*✪_"_ Munkar Nakeer Sawal karenge to Sawal v jawab ki bhi kifayat karunga aur Qayamat ke din us palde me beth jaunga Jis palde ko tu bhaari dekhna chahta hai aur Jitni meri himmat hogi, Jitna Mera wazan hoga, Mai'n Apna poora Wazan tere palde me daal dunga, Yaha'n tak k Tujhe Jannat me pahu'ncha dunga _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Qabr mai Bure A'amaal Ki Shakl _,*
┏───────────────────┯ ✿
*○┅✧ Hadees Sharif mai aata hai k Badkaar Aadmi ke saamne nihayat darawni shakle aati hai'n aur WO unko dekh kar ghabrata hai , Ghabrahat to Pehle hi mojood hai, Tanhaai aur Vahshat hai , Chunache ye chillate hue Pareshani ka izhaar karte hue Kehta hai k Khuda tumhara naas kare tum kon ho ?*
*○┅✧ To WO kehta hai k tum fikr na karo ,Mai'n tumhara WO bura Amal hu'n Jo tune kiya tha ,iske baad WO saare ke saare A'amale bad parra baandh ke aa jate hai'n Chudelo'n ki shakl mai, Bad Rooho ki shakl mai , Bhediyo'n ki shakl mai, Jungle ke darindo ki shakl mai ,Saanpo aur Bichchhuo'n ki shakl mai , WO Uske saath aa kar let jate hai'n,*
*"__Kehte hai'n na k Qabr mai Saanp aur Bichchhu honge , WO yahi Apne Bure A'amaal Hai'n __( Jo Saanp Bichchhu ki shakl mai saamne aayenge ) , Allah hum sab ki hifazat kare ,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Qabr mai Achchhe A'amaal Ka manzar_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Aur Nek Aadmi hota hai to Uske A'amaale Saleha nihayat hi haseen shakl mai Uske saamne aate hai'n , Ye kehta hai k Allah Ta'ala tumhara bhala kare ! Mai'n to bahut tanhaai mai tha, Mai'n wahshat mehsoos kar raha tha, Tum log kon ho Jo mere uns ke liye aur meri wahshat ko door karne ke liye aa gaye ?*
*✪_ WO kehte Hai'n k :- Aapke Nek A'amaal hai'n !*
*☞_ Achche A'amal Azaabe Qabr se Bachav ka Zariya hai'n :-*
*✪_ YU’n bhi aata hai k Jab farishte aate hai’n maarne ke liye to Namaz fala taraf ho jati hai, Sadqa fala taraf ho jata hai, Qur’an e Kareem ki Tilawat fala taraf ho jati hai, aur Doosre A’amaal e Saleha ek taraf ho jate hai’n, Chaaro taraf se usko Nek A’amaal gher lete hai’n aur Kehte hai’n k maarne nahi denge ,Azaabe Qabr ko taal dete hai’n _,*
“*✪_ _ Surah Mulk ( Tabarakallazi ) ke bare mai farmaya hai k ye maut ko is tarah apne paro ke niche le leti hai Jis tarah murgi apne Bachcho ko paro ke niche le leti hai, Aur Azaabe Qabr se bachati hai , Ye Uske A’amaal e Saleha hai’n Jo Marte waqt bhi Uske saath, Qabr mai bhi Uske saath ,aur Hashr mai bhi Uske saath honge ,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻Badkaar Ka Apne Bure A'amaal Per izhare Hasrat_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Qur'an e Kareem (Surah Az-Zukhruf, Aayat 38) mai hai k Apne Bure Amal ko dekh kar kahega k :-*
َ *"_ يَا لَيْتَ بَيْنِي وَبَيْنَكَ بُعْدَ الْمَشْرِقَيْنِ فَبِئْسَ الْقَرِينُ _,"*
*"__ Kaash ! K mere darmiyan aur tere darmiyan Magrib v Mashrik ka faasla hota tu bahut hi bura saathi hai _,"*
*✪_ Faasla kese hota ? Tune to khud kiya tha , Jhoot khud bole they, Zulm khud kiya tha, Badkaariya'n aur Behayaiya'n khud ki thi aur Aaj kehte ho k Magrib v Mashrik ka faasla hota ,*
*✪_ Jab tumse Kaha gaya tha k Ye Sab gunaah ki baate hai'n tumne maana hi nahi ,tumne to soch liya tha k Zindgi in baato ke bager kese guzar sakti hai ? , ..Maut aane do tumhe khud pata chal jayega k Ye Jo tumne laanat gharo mai daali hui hai , TV aur isi tarah Movi banate ho, Camere rakhe hue hai'n , Ye Tasveere latkayi hui hai'n ,aur Ye Bachcho ke khilone Buto ki shakl mai rakhe hue hai'n, aur Jo tum badkaariya'n karte ho ,tumhe khud pata chal jayega k ye Sab kya cheez hai ?*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Us Waqt Ka Rona Koi Kaam nahi dega _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Aaj Tum Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki baat Sun kar bhi us per yaqeen nahi karte, Tab ( Jab Maut aayegi ) Aankh se dekh kar Yaqeen la doge , aur us waqt koi ilaaj kaar nahi hoga,*
*○_ Hadees Sharif mai aata hai k :- Dozakhi log ek hazaar Saal tak Aansuo'n ke saath royenge, ek hazaar Saal tak Aankho se Khoon niklega ,aur ek hazaar Saal tak Peep nikalti rahegi _,"*
*✪_ Allah Ta'ala aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki baat Sun kar tum usko Mullaiyat kehte ho ( Mullo ki baat keh kar mazaaq banate ho ) Zara waqt aane do _" Is gubaar ko chhat Jane do ,Tumhe maloom ho jayega k tumhare niche Ghoda tha Ya Ghadh tha,*
*✪_ Garz ye k Jitna Jitna Kisi ka nafa hai, Aadmi usse utna hi talluq rakhe, Aqal ka qaayda yahi hai aur is Aqal ka hum duniya mai istemal bhi karte hai'n, Lekin Aakhirat ke maamle mai Hamari Aqal kaha'n chali jati hai ? Aqal ke saamne andhera Kyu aa jata hai ?*
*✪_ Aqal ki misaal esi hai Jese Aankho ki Roshni, Ye andar ki Roshni us waqt kaam deti hai jabki Baahar bhi Roshni ho, Dekhne ke liye hum Do Roshniyo'n ke mohtaaj hai'n, Aqal ki Roshni us waqt kaam deti hai jabki Dil mai hodayat ki Roshni bhi ho, Noore Hidayat bhi ho aur humne to Chiraage Hidayat Foonk maar kar bujha diya, Aakhirat ke maamle mai hum bilkul andhe ho gaye hai'n, Duniya ke maamle mai to Hamari Aqal bahut kaam karti hai, Aakhirat ke maamle mai Kyu kaam nahi karti ? Kese kare ? Dekhe kese ? WO to Noore Nabuwat rehnumayi karega to Hamari Aqal bhi dekhegi,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Duniya v Aakhirat mai Kaam aane Wali Cheez se Talluq Chahiye _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_✧ Ye qaayda hai k Jitni cheez faayde mand hoti hai Aadmi usko akhtyar karta hai , Hona ye chahiye k A'amaale Saleha ka ahatmam ho ,Uske SaTh rafaqat ho,*
*✪_✧ Hadees Sharif mai aata hai k _" Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam hamare saath ghar mai tashreef late they to ghar ke kaam kaaj mai mashgool rehte they, Jese ghar mai kaam hota hai, Lekin Jese hi Azaan ki awaaz sunte is tarah khade ho jate they Jese hume pehchante hi nahi hai'n _,"*
*®_ Fazaile Namaz -88 _,*
*✪_✧ Hona ye chahiye k Jese hi hukme ilaahi aa jaye Hamari Jaan Pehchan sabse khatm ho jaye,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻Maal Ka Nafa Kharch Karne mai hai_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○ Maal to esi Bekaar cheez hai k jab tak usko kharch na karo nafa nahi degi , Dher laga laga kar rakhte raho ,Kuchh faayda nahi,*
*✪○ Haaji Abdul Sattaar Sahab ne Apni kitaab mai ek Waqi'a likha hai k Ek Seth tha ,Apne khazane ki Sayr karne ke liye gaya, Dair ho gayi to WO Nazar nahi aaya ,Uske Naukro Chaakro ne darwaza band kar diya aur chale gaye ,Seth andar hi tadap tadap kar mar gaya, Agle Din darwaza khola to Seth ji mare pade hai'n , Halanki Khazana mojood tha , Kyunki WO khane pine aur bhook pyaas bujhane ka kaam nahi deta ,haa'n usko kharch kar ke khane pine ka samaan haasil kiya ja sakta hai,*
*✪○ Garz ye k ye maal aur Khazane Kisi kaam ke nahi hai'n jab tak tum inko kharch na karo isse fayda nahi uthaya ja sakta, Lekin humne maamla ulta kar liya , Hamara Jitna talluq Maal se hai utna Ahlo Ayaal se bhi nahi, Maa'n Beti ki ladaai aur Baap Bete ki ladaai, Bhai Bhai ki ladaai Kis cheez per hai ? Paise per hai !*
*✪○ Ye Paisa Sab cheezo per gaalib aa gaya hai, Hona to ye chahiye tha k Paise ko in per kharch kiya jata, Lekin Aaj ho ye raha hai k ( is Paise ki vajah se ) in Rishto ko is per kharch ( khatm ) kiya ja raha hai, ( Talluq tode ja rahe Hai'n ) aur Maal ke liye Ahlo Ayaal ke liye Apna Deen bhi qurban kiya ja raha hai,*
*✪_"__Allah Ta'ala hume Sahi samajh ata farmaye aur Allah Ta'ala hume ESE A'amaal e Saleha ki Tofeeq ataa farmaye Jo naza ke waqt bhi hamare kaam aaye, Qabr mai bhi hume kaam de ,Hashr mai bhi kaam de ,( Aameen ),*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Aalame Barzakh Hamari Aankho se Poshida hai_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○ Haq Ta'ala Shanhu ne Apni Rehmat farmayi hai, WO Jo Agla jahaan hai Jise Aalame Barzakh kehte Hai'n aur Jo Marne ke baad mujhe aur Aapko pesh aane wala hai , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-*
*"_ Us zaat ki qasam jiske qabze mai meri jaan hai agar tum jaan lo WO cheez Jisko Mai'n jaanta hu'n to tum kam hansa karo aur Zyada roya karo aur dhaade maarte hue Jangalo ki taraf nikal jao _," ( Mishkaat- 456,457)*
*✪○ Agar WO manzar hamare saamne aa jaye to WO itna holnaak hai k hum Murde dafnana chhod de ,kisi ki Himmat hi na pade k qabro mai murdo ko dafan kar sake , Ye to Haq Ta'ala Shanhu ka Ahsaan hai k hum per gaflat ka Parda daal diya hai, k istehzaar nahi aur khayal hi nahi k hume ye marhala pesh aane wala hai ,*
*✪○ Amirul Momineen Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu jab Qabr ka tazkira karte to itna rote k daadhi Mubarak tar ho jati ,logo ne arz kiya k Hazrat Aap jannat aur Dozakh ka tazkira karte hai'n magar itne nahi rote ,Jitna k Qabr ke tazkire per rote hai'n,*
*"_Farmaya k :- Maine Aap Sallallahu Alaihivasallam se suna hai k Qabr Aakhirat ki manzilo mai se pehli manzil hai, agar insaan Yaha'n Kaamyab hua to Agli manzilo mai bhi kaamyab ho jayega aur agar Yaha'n nakaam hua to agli manzilo mai kaamyabi ki kya Soorat aur kya ummeed ki ja sakti hai_,"*
*"_Aur irshad farmaya k Mai'ne Aap Sallallahu Alaihivasallam se ye bhi suna hai k Maine Jitne manazir dekhe hai'n unme sabse Zyada khofnaak Qabr ka manzar hai _,"*
*®_Mishkaat -26 _,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Agle Jahaan Ki Taiyaari Karo_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○ Aadmi Duniya mai ye samajhta hai k Mai'n Yaha'n hamesha ke liye aaya hu'n , Koi Taiyaari karne ki fikr hi nahi , Allah Ta'ala hume tofeeq ata farmaye ( Aameen ) Baaz hazraat aur Baaz Bande to ese honge Jinko Apni Aakhirat ki Taiyaari ki, Apni Agli manzil ki taiyaari ki fikr hogi k mujhe Jana hai aur jaa kar hisaab v kitaab dena hai,*
*✪○ Ek to bada hisaab Jo Qayamat ke din hoga WO to baad ki cheez hai , Ye Jo pehla hisaab hai Jo Marne ke baad ka marhala hai uski fikr hogi k itni si jagah hoti hai jisme Aadmi ko lita dete hai'n, fir ouper se usko band kar dete hai'n aur mano mitti daal di taki bhaag kar na aa jaye , Halanki WO bejaan mahaz nahi hota balki usme Rooh daali jati hai aur WO Apne Dafan karne walo ki Jootiyo'n ki aahat sunta hai ,Jesa k Hadees mai hai :-*
*✪__ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Murde ko abhi dafnane wale ke qadmo ki aahat sunayi di hi hoti hai, yani jab WO Dafna kar waapas hote hai'n unke qadmo ki Aahat sun raha hota hai k Do Farishte aa jate hai'n Jinko Munkar Nakeer kehte Hai'n ,(baaz rivayaat mai aaya hai k unko Mubasshir Basheer kehte Hai'n )_,"*
*®_ Mishkaat- 24,25 _,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Qabr mai Teen Sawalaat_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○ Khulasa Ye hai k usse bahut Asaan se Teen Sawal karte hai'n :-*
*"__ Hazrat Bara bin Aazif Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Us Aadmi ke Paas Do farishte aate hai'n, usko Qabr mai bithate hai'n fir WO dono farishte usse sawal karte hai'n k Tera Rab Kon hai ?( Agar WO nek Aadmi hota hai to ) kehta hai k Mera Rab Allah hai ,*
*"_Fir WO dono farishte us nek Aadmi se sawal karte hai'n k Tera Deen kya hai ? WO Nek Aadmi jawab deta hai k mera Deen islam hai , Fir WO Farishte usse sawal karte hai'n k us Aadmi ke bare mai tumhara kya khayal hai Jo tumme bheja gaya tha ? WO Aadmi kehta hai k Woh Allah ke Rasool hai'n, Fir farishte usse sawal karte hai'n k tujhe kese maloom hua ? WO Aadmi kehta hai k Maine Allah Ta'ala ki kitaab padhi thi, us per Maine yaqeen kiya tha aur Maine tasdeeq ki thi ....,"*
*✪○ ( Agar koi Badkaar Aadmi hota hai to ) usse farishte sawal karte hai'n k tera Rab kon hai ? To WO kehta hai mujhe maloom nahi ,mujhe maloom nahi, Fir WO farishte usse sawal karte hai'n k Tera Deen kya hai? WO kehta hai Mujhe maloom nahi ,mujhe maloom nahi , Fir WO Farishte usse sawal karte hai'n k Us Aadmi ke bare mai tumhara kya khayal hai Jo tumme bheja gaya tha ? WO kehta hai k mujhe maloom nahi, mujhe maloom nahi_,"*
*®_ Mishkaat -25 __*
*✪_ Ek Sawal ye k Tera Rab kon hai ? Doosra ye k Tera Deen kya hai ? Aur teesra ye k Aap Sallallahu Alaihivasallam Ke bare mai puchhte hai'n k Tu inke bare mai kya kehta tha ? Aap Sallallahu Alaihivasallam ne jab isko bayan farmaya to Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne puchha k Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Us waqt hamare hosh v hawaash ho'nge ? Farmaya k Hosh hawaash ho'nge aur ese ho'nge jese ab hai'n,*
*"_ Fir Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne irahad farmaya k Fir hum nimat le'nge in sha Allah,*
*✪_Ye to Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ka hosla tha aur Keh sakte hai'n k hum nimat lenge magar sochiye k Jaha'n koi gamkhwaar, koi madadgaar nahi hoga na koi talqeen karne wala hoga aur na koi bande Ki dastgeeri karega to fir waha'n wo in Sawalo Ka jawab Kese dega ?*
*✪_"_ Haa'n Agar Allah Ta'ala ki Tofeeq Bande Ki Dastgeeri kare, To fir wo unka sahi sahi jawab dega aur kahega k Mera Rab Allah hai ,isliye k uska Duniya mai Yaqeen bana hua tha k Allah Ta'ala mera Rab hai, Waha'n Jhoot to chalega nahi, Sach per Waha'n nijaat hogi, Jhoot per nahi _,"*
*✪_ Doosra Sawal hoga k Tera Deen kya hai ? WO jawab mai kahega - islam !*
*✪__Kya humne islam ko Deen maana hua hai ? Kya humne islam ko Deen maan kar Daadhi mundhwayi hui hai ? Garz Jitni talimaat Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne di thi humne un per Amal kiya tha ? Islam ke maane hai Jhuk Jane ke, Kya hum Allah Ta'ala ke aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke hukmo ke saamne Jhuke they ?*
*✪_ Aur Teesra Sawal hoga k in Sahab ( Hazrat Muhammad Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam) Ke bare mai kya kehte they ? Hafiz ibne Hajar Reh. Fatahul Baari mai likhte hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Naam nahi bataya jayega, Wese hi Farishte puchhenge k inke bare mai kya khayal hai ?*
*✪_ Baaz Hazraat ne to ye farmaya k Murde ke darmiyan aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke darmiyan ke saare parde hata diye jate hai'n aur Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki ziyarat karayi jati hai, Hafiz ibne Hajar Reh. Farmate hai'n k agar esa ho to ye bahut hi badi sa'adat hai ,lekin esi koi rivayat mujhe kahi nahi mili ,bahar haal Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke bare mai puchha jata hai k inke bare mai kya kehte they ? Unko Rasool maan kar Apne Aapko Ummati samajhte they ? Rasool aur Ummati ka talluq tumne sahi tor per nibhaya tha ?*
*✪_ Banda Momin ho to in teeno sawalo ka jawab sahi sahi de deta hai, Zyada mushkil Sawal nahi hai'n ,aur in hi teen sawalo mai poori zindgi aa gayi hai,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Hazrat Rabi'a Basriya aur Farishto Ke Sawalaat _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Hazrat Rabi'a Basriya Reh. Ke bare me aata hai k unka inteqal hua, Jab unko Dafan kar diya gaya to unke paas munkar nakeer aaye, aur unse bhi Teen sawal kiye, To kehne lagi'n k Kaha'n se aaye ho ? Farishto ne kaha k Aasmaan se aaye hai'n, Rabi'a Basriya Reh ne kaha Tum Aasmaan se Yaha'n tak aaye aur Tum Apne Rab Ko bhool gaye ? Aur Rabi'a ke bare me khayal hai k Zameen se sirf Dedh gaz niche pahu'nch kar bhool gayi hogi ? Jao Apna kaam karo _,"*
*✪_"_ Aam tor per Aadmi jab mar jata hai to log La ilaaha illallah Ki Talqeen kiya karte hai'n, to log Mamool ke mutabiq unko bhi Talqeen karne lage, Muskura kar Farmane lagi'n k Saari Umr is Waqt ke liye to Mehnat ki thi, Ab Tum mujhe kya Sikhate ho ?*
*✪_"_ To Jo Log Sahi Sahi Jawab de dete hai'n, to hukm hota hai k inke liye Jannat ka Libaas lao, Jannat Ka Bistar bichhao, aur Hadees me farmaya k Qabr uske liye itni Wasee kar di jati hai, Jaha'n tak uski Nazar pahu'nchti hai _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Hamari Manzil Konsi Hai ?,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Doosra Aadmi jisene Duniya mai imaan v Yaqeen nahi banaya tha WO har Sawal ke jawab mai kahega- muhhe maloom nahi ,muhhe maloom nahi, Tab Allah Ta'ala Ki taraf se farmaya jayega k Tu jhoot bolta hai, Tune saari umar kabhi ye kaam kiya hi nahi tha,*
*✪_ Mere Bhaiyo'n Allah ko Pehchano aur Apne Deen ko Pehchano ,Apne Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko Pehchano aur unki Talimaat ko Pehchano aur un per Amal karo, Qabr Aakhirat Ki manzilo mai Pehli manzil hai ,Jo hamare Buzurg they WO aage chale gaye ,Unko to ye pesh aa gayi hai ,Allah hi behtar jaanta hai k unke saath kya maamla ho raha hai ? aur idhar Hamare Sar per ye manzil khadi hai, magar hum yaha'n isse gaafil Apne kaarobaar, Kaam dhandhe mai, Khel tamashe mai lage hue hai'n, Khushiya'n manayi ja rahi hai'n ,Gappe Haa'nki ja rahi hai'n,*
*✪_ Ek buzurg farmate they k Aadmi Khilkhilata hai yani ha'nsta hai Hala'nki uska Kafan dhobi se dhul kar aa chuka hai, Sabse badi cheez ye hai k hum is baat ko jaane aur Pehchane k hamari manzil konsi hai ?*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻_Ahsaas E Nadamat Ki Barkat,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_"_Imaam Gazali Reh. ne ek Waqi'a likha hai k Ek Shakhs Ka inteqal ho gaya, itna bura Aadmi tha k Koi uski Wafaat ka sun kar uske ghar nahi aaya, Aam tor per Wafaat ho jati hai to Log Jama ho jate hai'n, Magar waha'n koi na aaya, To uski Bivi ne Chaar mazdoor liye aur la kar Qabristan ke paas pahu'ncha diya, Qabristan ke qareeb ek maidan tha, Jaha'n log janaza padhte they, Waha'n pahu'ncha diya,"*
*✪__ Us ilaaqe ke ek Mash'hoor buzurg they, Unko ilhaam hua k Ek Wali Allah ka inteqal ho gaya hai aur koi uska janaza padhne ke liye nahi aaya, Aap ja kar Janaza padho, Wo Janaze ke liye nikle to unko dekh kar beshumar log toot pade, Janaze ki Namaz aur Tadfeen ho gayi, Uske janaze se faarig ho kar Wo Buzurg uske ghar aaye aur uski Bivi se puchhne lage k iska konsa Amal esa tha k Jiski Bina per iska ikraam kiya gaya ?*
*✪_"_ Us Aurat ne kaha k Aur to Mai'n kuchh nahi jaanti, Albatta Do Amal iske mujhe yaad hai'n, Ek To ye tha k Wo Raat bhar Sharaab Peeta tha aur Saari Raat us Nashe me Dhut pada rehta tha, Aakhri Raat me uska Nasha tootta aur Allah Ta'ala ko khitaab karke hamesha kehta rehta k Ya Allah to mujhe jahannam ke kis kone me daalega ? Saari Raat isi tarah karta rehta, Yaha'n tak k Fajar ka Waqt ho jata, Fajar ho jati to fir ye Gusl karta, Naye kapde pehanta aur Namaz padhta, iska Ek to ye Amal tha,*
*✪_ Aur iska Doosra Amal ye tha k uska ghar kabhi Yateem se khaali nahi rehta, Hamesha kisi Yateem ko Apne Ghar me rakhta tha, Wo Bachcha bada hota, Uski Shaadi karata, fir doosra Bachcha le aata, is per Allah Ta'ala ne unki Nijaat kar di,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Marne Wale Se ibrat Haasil Kare'n_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k jis shakhsh ko Saamne Ki cheez nafa nahi deti aur unse WO ibrat nahi pakadta to Jo cheeze usse poshida hai'n WO unke bare mai zyada andhapan akhtyar karega , Mashoor hai k -"_Nek Bakht WO hai Jo doosre se ibrat haasil kare_," Yani doosro per Jo halaat guzar rahe hai'n un halaat ko dekh kar ibrat haasil kare,*
*✪_ Marne wale mar rahe hai'n hume unse ibrat haasil karna chahiye k ek din hume bhi marna hai, Marne wala Apne Bivi Bachcho Ghar Baar aur kaarobaar chhod kar chala gaya ,Ab na koi is faisle ke khilaf Apeel kar sakta hai aur na Marne wale ko koi waapas la sakta hai, Doosro ko chahiye k isse ibrat haasil kare aur soche k hamare saath bhi yahi hone wala hai ,*
*✪_ Mere Bhai ! kya hume kabhi ye khayal aaya , Sab baate galat hai'n magar Maut barHaq hai, Duniya Ki Sab baate galat ho sakti hai'n maut galat nahi ho sakti ,Maut barhaq hai, Rozana hum kai janaze apni Aankho se dekhte hai'n ,lekin ibrat haasil nahi karte,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Maidaan E Hashr Ki Holnakiya'n _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Hum holnaak Qabr ke halaat sunte hai'n, Qayamat ke Din ke ahwaal sunte hai'n, uski holnakiy'n sunte hai'n, Waha'n ka hisaab kitaab , Huqooq ka dilaya Jana, logo ka maare maare firna ,magar fir bhi hum ibrat haasil nahi karte, Maidane Hashr Ki Holnakiyo'n ka tazkira Qur'an e Kareem mai ( Surah Abasa, Aayaat 34 se 37 ) is tarah farmaya gaya hai :-*
*.يَوْمَ يَفِرُّ الْمَرْءُ مِنْ أَخِيه .ِوَأُمِّهِ وَأَبِيهِ .وَصَاحِبَتِهِ وَبَنِيه. لِكُلِّ امْرِئٍ مِّنْهُمْ يَوْمَئِذٍ شَأْنٌ يُغْنِيهِ.*
*✪_"_(Tarjuma) _Jis Din bhaagega Aadmi Apne Bhai se ,aur apni Maa'n se aur Apne Baap se ,aur Apni Bivi se aur Apne Bachcho se ,har Aadmi ke liye ek esi haalat hogi Jo usko kifayat karegi doosri taraf mutavajjah nahi ho sakta _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Maidane Hashr mai Ek Neki bhi Koi Nahi Dega_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Hadees Sharif mai Mashhoor qissa farmaya gaya hai :- Qayamat ke Din ek ese Aadmi ko laya jayega jiske gunaah aur Nekiya'n barabar hogi, Allah Ta'ala mahaz Apne fazal se use farmayenge:- Jao kisi se ek Neki maang laao taki Teri Nekiyo'n ka palda bhaari ho jaye aur Tujhe Jannat mai dakhil kar de,*
*✪_WO Maidane Hashr mai Neki Ki talash mai chakkar lagayega aur har ek se Neki ka Sawal karega magar is silsile mai usse koi baat nahi karega, Har ek ko ye khof daamangeer hoga k kahi meri Neki ka palda halka ho jaye aur mujhe ek Neki Ki zarurat na pad jaye , Yu'n har ek Apni zarurat aur ahatyaaj ke peshe nazar use ek Neki dene se inkaar kar dega ,WO mayoos ho jayega,*
*✪_ K itne mai ek Aadmi se mulaqaat hogi Jo use kahega- Kya Talash kar rahe ho ? WO kahega k ek Neki talash kar raha hu'n, poore khandaan aur qaum se mila hu'n, hazaaro nekiya'n rakhne ke bavjood koi ek Neki dene ko taiyaar nahi, Sabne ek Neki dene se bukhl ka muzahira kiya hai, WO Shakhsh use kahega k mere Naama e A'amaal mai ek hi Neki hai aur mujhe Yaqeen hai k ek Neki mujhe koi nafa nahi degi, Lihaza ye Neki Aap meri taraf se bator hiba qubool kijiye,*
*✪_ WO Shakhs ek Neki le kar khusho khurram Baargaahe ilaahi mai haazir hoga, To Allah Ta'ala bavjood Aalimul gaib hone ke usse puchhenge- kaha'n se laye ? WO Apna poora qissa keh sunayega ,Fir Allah Ta'ala us ek Neki wale ko bula kar farmayenge - mera Karam v Ahsaan Teri Sakhawat se Wasi'a hai ! Apne Bhai ka haath pakad aur dono jannat mai jaao, Yu'n WO dono jannat mai chale jayenge _,"*
*®_ Tazkira fil Ahwaal v Umoore Aakhirat ,Allama Qurtubi Reh. ,Darul kutubul ilmiya Bayrut -137 ,Kashful Uloomul Aakhirat - imaam gazali Reh.136-137_,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Duniya ibrat Ki Jaa Hai_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Dar asal Hamara Aakhirat per imaan nahi raha aur Aakhirat se pehle Qabr per bhi imaan nahi , Khwaja Mehboob Reh.farmate hai'n :-*
*_ Jagah Ji lagane ki Duniya nahi hai,*
*_Ye ibrat Ki Jaa hai Tamasha nahi hai,*
*✪_ Hizoor Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n:- Nek Bakht hai WO Shakhs Jo doosro ke haal se ibrat pakde , Shekh Sa'adi Reh. Farmate hai'n:- Hakeem Luqman se logo ne puchha k Aapne Adab kisse sikha , Farmaya - Be Adabo se ! Logo ne kaha - WO kese ? Farmaya - Jo baat Maine Kisi ke andar esi dekhi Jo meri nazar mai achchhi nahi thi to Maine faisla kar kiya k Aa'inda ye baat ya Amal nahi saadir hoga, Usko to Kuchh bhi nahi kaha ,albatta apni islaah kar li ,isko kehte hai'n doosro se ibrat Lena,*
*✪__ To Jo Shakhs Aankho dekhi cheez se ibrat nahi pakadta WO kaano suni se kya ibrat haasil karega ? Uske saamne dozakh ke halaat bayan karo, qayamat ki holnaakiya'n bayan karo, uske saamne Qabr ki baate bayan karo ,uske liye ye Sab be-sood hai, Kyunki gaflat ka Parda Pada hua hai ,Jo Safar aage tay karna hai usse gaafil hai,*
*✪_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k :- aur beshak k tumko hukm diya gaya hai kooch karne ka aur tumko bata diya gaya hai tosha lene ka ,Khoob sun rakho ! K sab se zyada khofnaak cheez jiska mai'n andesha karta hu'n tumhare Haq mai WO do hai'n - ek Lambi Lambi ummeede rakhna aur doosre khwahishe nafs ki pervi karna,*
*"_Raha ummeedo ka lamba hona ye Aakhirat ko bhula deta hai aur raha khwahish ki pervi karna ye Aadmi ko Haq se door karta hai,*
*✪_Khoob Sun rakho ! K Duniya Pusht fer kar ja rahi hai aur Aakhirat hamari taraf mutavajjah ho kar tezi se aa rahi hai aur in dono ke Kuchh bete hai'n, So agar tumse ho sake to Aakhirat ke beto mai se bano Duniya ke beto mai se na bano, Kyunki Aaj ka Din Amal ka hai hisaab ka nahi aur Kal ko hisaab hoga Amal nahi hoga _,"*
*®_ AL Bidaya v An-nihaya ,7/308,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Kooch Ka Naqqaara Bach Chuka _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Farmaya - Ek baat yaad rakho ! K tumhare liye Kooch ka Naqqara baj chuka hai ,aur Tumhe ye bhi bata diya gaya hai k Tosha saath le kar Jana hai, Kya Tosha lekar Jana hai ?*
*✪_"_ Namaze janaza me Azaan aur Aqaamat nahi hoti Kyu'nki jab Bachcha paida hota hai uske kaan me Azaan aur Aqaamat keh di jati hai aur Bachche ke Kaan mai Azaan aur Aqaamat kehne ka matlab ye hai k usse keh diya jata hai k Jaldi kar Azaan ho chuki hai, Aqaamat ho chuki hai, imaam niyat baa'ndhne wala hai, bas itni mohlat hai tere paas !*
*✪_"_ Kyu'nki Qad Qamatis Salah, Qad Qamatis Salah, Allahu Akbar Allahu Akbar, La ilaaha illallah Takbeer ke baad imaam ki niyat baa'ndhne me Jitni der lagti hai, bas itni fursat hai tere paas, Jaldi kar le Jo Karna hai, Ye hai Kooch ka Naqqaara,*
*✪_"_ Farmate hai'n K Kooch ka Naqqara baj chuka hai ,aur Tumhe ye bhi bata diya gaya hai k Tosha saath le kar Jana hai, Kya Tosha lekar Jana hai ?*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Bojh Halka Karo _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_Shekh Ataar Reh. Farmate hai'n k :- Tera Vajood bahut kamzor hai, Zara apna bojh halka kar lo, Ye Jo tumne Khoobsurat Pattharo ki gathriya'n baandh baandh kar rakh li hai ,Zara apna bojh Halka rakho ,Tumhe pata hai kamar per laad kar le Jana hai , Tumto bahut halka SA kamzor SA Vajood rakhte ho, Apna bojh halka rakho varna Raaste mai tum Apna maamla bada sakht dekhoge, Ye bojh khud hi uthana padega Waha'n Quli nahi milte , Waha'n to Apna haath Apna Moo'nh Khud hi nimto ,Jo tosha le Jana hai uski fikr nahi kar rahe aur Jo bojh nahi uthana usko baandh rahe ho,*
*✪_Aagaah Apni Maut se Koi Bashar nahi !*
*Samaan So Baras ka Pal ki Khabar nahi !*
*✪_ Hamari Khwahishe Nafs ka ye haal hai k Agar Shariyat Ka koi masla koi baat hamari khwahish ke mutabiq hogi to hum Amal karenge varna keh denge " Allah Ta'ala Gafoorur Raheem hai ," bas nafs ki khwahish poori honi chahiye, Allah aur Uske Rassol ka farman poora hota hai ya nahi ,is cheez se hume bahas nahi , Allah Hifazat kare,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Aakhirat Ke Bete Bano _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪┅✧Irshad farmaya k Duniya ja rahi hai Aakhirat aa rahi hai, aur dono ke Bete hai'n, Kuchh bete hai'n Duniya ke, Kuchh Bete hai'n Aakhirat ke, Aapko maloom hai k Beta Jis Baap ka hota hai uski taraf mansoob hota hai, Beta to ek hi Baap ka hota hai, Do ka to nahi hota, Baaz log ese hai'n Jo Duniya mai Duniya ke Bete bane hue hai'n unka aur Koi Baap nahi hai ,aur Kuchh hai'n Jo Aakhirat ke Bete hai'n,*
*✪○┅✧Qur'an e Kareem mai irshad hai :- ( Ey Nabi ) Aap keh dijiye k Tumhe bataye k Amal ke aitbaar se Sabse zyada khasare mai kon hai'n ? ( Aksar Sabse zyada khasara uthane wale A'amaal ke aitbaar se kon hai'n ?) Ye WO log hai'n Jinki saari mehnat zaaya ho gayi, gum ho gayi Duniya ki zindgi mai ,aur ye log gumaan kar rahe hai'n k ye log bahut achchha kaam kar rahe hai'n _," ( Surah - AL Kahaf -103,104)*
*✪┅✧ Duniya Ke Bete Aakhirat Ke Bete Ka Mazaaq Udate hai'n, Duniya Wale Molviyo'n ka, Deendaaro ka mazaaq udaate hai'n k Duniya ka kaam nahi jaante, Allah walo ka mazaaq udaate hai'n, Gareeb gurba ka mazaaq udaate hai'n, Faqeero ka mazaaq udaate hai'n aur Ye samajhte hai'n k hum Hunar mand log hai'n, Taleem Yafta educated log hai'n, Aaj kal usi ko Taleem yafta kehte hai'n Jo Duniya Kamana, Haraam Kamana zyada jaanta ho,*
*✪┅✧ irshad farmaya k- Duniya jaa rahi hai, Aakhirat aa rahi hai, aur Dono ke Bete hai'n, So Tum Duniya ke Bete na bano, Aakhirat Ke Bete bano, Kyu'nki Aaj Amal hai Hisaab nahi hai ,Kar lo Jo karna hai ,Amal ki mohlat de di ,Amal kar lo, Hisaab baad mai kar le'nge, Lekin Aaj ka din khatm hoga ,Kal ka Din aayega to Amal nahi hoga hisaab hoga, usko kaha jayega k poora karo Hisaab, Kahega - kaha'n se poora karu ?*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Tumhe Kamzoro Ki Barkat se Rizq milta hai_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪__ Rasoole Aqdas ﷺ ki khidmat me ek Shakhs Apne Chhote Bhai ki Shikayat le kar aaya, Bada Bhai kamata tha aur Chhota Bhai Kamata nahi tha, Rasulullah ﷺ ki khidmat me rehta tha, To Bade Bhai ne Shikayat ki k Hazrat ! Ye yahi'n pada rehta hai, Koi kaam dhandha nahi karta, Wo bechara to Khamosh raha, Aakhir Bade Bhai ko kya jawab deta, Magar Aan Hazrat ﷺ ne farmaya:-*
*"_ Tumhari Jo Madad ki jati hai aur Tumko Jo Rizq diya jata hai Wo in Kamzoro ki vajah se diya jata hai _," ( Miskhaat - 447)*
*✪_"_ Ghar me Jo Budhe Maa'n Baap hote hai'n, Jo Sabse Kamzor hote hai'n aur Jo Bechare kamayi me sabse Fisaddi hote hai'n, Allah Ta'ala unki Barkat se Tamaam ghar Walo ko paal rahe hai'n, Aakhirat Ke Bete hai'n Lekin Duniya nahi kama sakte kya kare'n ? Jinko tum kehte ho k ye Khairaat ki Rotiyo'n per Palte hai'n Mai'n kehta hu'n k Tum unki Vajah se pal rahe ho, Allah Ta'ala Tumko unki Vajah se Paal raha hai, Wo na hote to Allah Tumhe na paalta, Tum Unko nahi Paal rahe, Balki unka Zoaf unki Kamzori Tumhe paal rahi hai, Wo Allah ki rehmat ko kheench rahi hai _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Maidane Hashr mai Duniya Ke Bete ka Haal _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○_ Ek Hadees Paak mai farmaya gaya hai k , Ek Aadmi qayamat ke din Zaleel v Ruswa kar ke Allah Ta'ala ke saamne laya jayega ,Allah us Bande se puchhenge k Maine to bahut saara maal diya tha Tune kya kiya ?*
*┅✧"_WO kahega k- Ya Allah ! Maine usko khoob badhaya tha (ek ki do Dukaane laga li, Ek ki Chaar factories bana li ) bahut zyada Maine Karobaar ko badha liya tha, Badi taraqqi di thi Karobaar ko ,agar Aapko chahiye to mujhe waapas bhej do mai'n laa kar Aapko de deta hu'n,*
*┅✧"_Allah Ta'ala farmayenge - nahi mujhe zarurat nahi hai, WO to Tumhe yaha'n bhejne ke liye diya tha, Tumhare kaam yaha'n aata_,"*
*®_ ( Mafhoom Hadees) Mishkaat - 443,*
*✪○┅ Sarah Sudoor mai Hafiz Sayvti Reh. ne ek waqi'a naqal kiya hai k -Ibne Abi Qalaba Kehte hai'n k mai'n Shaam se Basrah ki taraf ja raha tha k Raaste mai Raat ko ek khandaq mai utar kar wazu kiya ,Do Raka'at nifl ada ki aur Qabr per Sar rakh kar so gaya ,Khwab mai kya dekha k Qabr wala mujhse Shikayat kar raha hai k Raat bhar Aapne mujhe ( Qabr per Sar rakhne ki vajah se ) takleef di, Fir kehne laga k -"_Tum nahi jaante aur hum Jaante hai'n, magar Amal nahi kar sakte, Beshak WO Do Raka'ate Jo tune ada ki hai'n, Duniya v Mafiha se behtar hai" Fir usne kaha - Allah Ta'ala Duniya walo ko jaza e Khair de ,Aap unko mera Salam kahiye aur unko bataiye k unki Duae'n hamari qabro mai Noor ke Pahaado ki tarah dakhil hoti hai'n _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Ka Khutba, Qabr, Hashr aur Mahshar Ke Bayan mai _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ek Janaze ke saath usko rukhsat karne ke liye tashreef le gaye, Jab Mayyat ko uski Lahad mai rakha gaya to uske mutalliqeen Ahlo Ayaal Chillane aur Rone lage, Hazrat Ali Karamullah Wajhu ne irshad farmaya :-*
*"_ Rote kyu ho ? Unki mayyat ne Yani unke murde ne jis cheez ko dekh liya hai Yani Aalame barzakh ka ,agar ye log us cheez ko dekh lete to fir Murde ko bhool jate aur Apni fikr mai pad jate ,"*
*✪○ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k qayamat ki holnakiya'n aur Qabr ke naqshe unke saamne aa jate to unko Apna Murda bhool jata aur fir farmaya k ye maut to har baar tumhare ghar ka pehra degi, Baar baar aayegi, yaha'n tak k ek Aadmi ko bhi nahi chhodegi, Jitne ghar mai Aadmi ( Mard aur Aurat ) hai'n sabko ek ek kar ke le jayegi,"*
*✪○ Farmaya k Dekho mai'n Tumhe wasiyat karta hu'n Allah se darne ki, Jis Allah ne tumhare liye misaale bayan kar di hai, Nek logo ki misaale bhi bayan kar di hai'n ,aur bure logo ki bhi ,Firoun ki misaal bhi bayan kar di, Moosa Alaihissalam ki misaal bhi bayan kar di ,israar ki bhi ,Abraar ki bhi, har ek ki misaal bayan kar di ,Sakhawat karne walo ki bhi ,Bukhl karne walo ki bhi ,Maa'n Baap ke na farmaan ki bhi aur farmabardaaro ki bhi misaal bayan kar di , Tumme se koi ESA nahi hai jiske liye Allah ne Apne paak kalaam mai misaale na bayan kar di ho aur isi tarah tumhare liye mi'aade bhi muqarrar kar di hai'n _,"*
*✪○ Har ek Aadmi ki qismat ka parwana uske guzre hue Din ,uski gardan mai latka kar bheje hai'n, Allah Ta'ala ne Surah Bani israiyl -Aayat 13, mai bayan farmaya ,... ( Tarjuma ) Har ek ki qismat ka parwana humne uski gardan mai latka diya hai _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Ummul Momineen Hazrat Umme Habeeba Ki Dua_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○_ Ummul Momineen Hazrat Umme Habeeba Raziyallahu Anha ye Dua kar rahi thi :- "_ Ya Allah ! Mujhe mere Shohar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke zariye se ,Mere Walid Abu Sufiyan Raziyallahu Anhu ke zariye se aur Mere Bhai Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke zariye se Nafa dijiye, ( Matlab Ye hai k k Allah inki zindgi lambi kare aur inka Saya mere Sar per qaa'im rakhe )*
*✪"_ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Tu Allah Ta'ala se esi cheez maang rahi hai aur un mi'aado ke bare mai Sawal kar rahi hai Jinki ta'ayn ki ja chuki hai aur un rizqo ke bare mai maang rahi hai Jinko taqseem kar ke diya ja chuka hai aur un Saanso ke bare mai Sawal kar rahi hai Jinko gin kar Shumaar kar liya gaya hai, ( k itni saanse fala Shakhs ke liye ), Allah Ta'ala in A'ajaal aur infaas ko na muakhkhar karenge ( Yani Jo Tay ho chuka hai Din, Ghadi, Saanse, Rizq unko na taalenge ) na muqaddam karenge,*
*"_Agar Tune Allah Ta'ala se ye Sawal kiya hota k Allah Ta'ala Tujhe Dozakh se panaah ataa farmaye aur Qabr ke Azaab se panaah ataa farmaye to ye Afzal hota aur Behtar hota _,"*
*®_ Sahih Muslim - 2/338 ,*
*✪○ Yani Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unse farmaya k maangne ki cheez to ye thi magar Tu Kuchh aur maang rahi hai, Allah Ta'ala ne har ek ke liye Rizq ,Saanse Muqarrar ki hui hai'n ,Har ek ki mi'aade muqarrar hai'n , Isliye Apne aur Doosro ke liye Dozakh se Panaah maangi jaye aur Jannat ke Husool ka Sawal kiya jaye ,Ye Hamare Haq mai Behtar hai ,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Inamaat E ilaahiya Ka istehzaar _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪"_ Iske baad farmaya :- Tumhe Kaan diye hai'n, Aa'nkhe di hai'n, Dil diye hai'n, Kaan diye hai'n taki Kaano me Jo baat padti hai usko Tum Zara Samajh lo, Kya Tum Samajhte ho k Allah Ta'ala ne kaan isliye diye hai'n k Tum Gaane Suno ?*
*✪"_ Gaane Ke Bager reh nahi Sakte, Allah Ta'ala Fazal farmaye, Bachpan se esi Aadat pad gayi, Goya gaane ghutti me daal diye gaye hai'n, Gaane Sunne se Tumhari Tabiyat bad maza nahi hoti ? Tumko is baat ka Ahsaas nahi hota k dil me Zulmat aa rahi hai, Tumko khayal nahi aata k Hamare Kaano ke Zariye se andar kya udela ja raha hai ?*
*✪"_ Aa'nkho ki Ni'amat:- aur Tumko Nazre di hai'n, Aa'nkhe di hai'n, Taki Tum uske parde ko hatao aur ibrat ki nazar se dekho, Aa'nkhe isliye di hai'n Taki tum in Aa'nkho se nazre ibrat ke saath dekho,*
*✪"_ Aur Tumhe Allah Ta'ala ne Dil ata farmaye hai'n taki Tum un Hawadis aur Masa'il ko Samjho jo Tumhe pesh aane wale hai'n _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ _Insaan aur Jaanwar me Farq _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_"_ Tumme Aur Jaanwar me yahi Farq hai k Tum Mustaqil per Nazar rakhte hue uska Tahaffuz kiya karte ho, aur Jaanwar bechara Jo Saamne aata hai kha leta hai, Aage Ki usko fikr nahi,*
*✪__ Tum Tadabbur aur Tadbeer kiya karte ho, Tadabbur ke ma'ani hai Anjaam Ko Sochna aur Tadbeer ke ma'ani hai Anjaam Ke Liye koi Samaan karna k Ye Cheez pesh aani wali hai, iska kya bandobast kiya jaye ?isko Tadbeer kehte hai'n, Kisi Cheez per gor v fikr karna Tadabbur kehlata hai aur us Anjaam ki Bhala'i ke Asbaab muhayya karne ki fikr karna Tadbeer kehlata hai,*
*✪__ insaan ko Haq Ta'ala Shanhu ne Tadabbur bhi diya aur Tadbeer bhi di hai, Haiwanaat ko ye Cheez nahi di, aur ye Tadabbur aur Tadbeer Dilo ka kaam hai, aur ye Dimaag iski masheenri Dil hai,*
*✪__ Agar Dil me Taqwa ho to Dimaag Taqwa ki baat sochega, aur Agar Dil me Khabasat aur Najasat ho to Dol me logo ko takleef Dene ki Tadbeere gardish karengi, Dil me Neki aur Parhezgari ho to Dimaag uska bandobast sochega, aur Dil me khuda ka khof na ho to fir Dimaag uske mutabiq Tadbeere karega _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ _Dil Ki Ni'amat _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪__ To Hukm to chalta hai Dil ka, Chahat aur Na Chahat to Dil ka kaam hai, Neki aur Badi Dil ka kaam hai, isi tarah Khabasat Ya Taharat ye Qalb Ki Sahat ki Sifat hai, Dimaag To uski Masheen hai, Jis Tarah Dil kahega usi tarah karega, Jo Hakim kahega Maathat uski Tameel Kare'nge _,"*
*✪_ irshad farmaya k Allah Ta'ala ne Tumko Dil bakhshe hai'n Taki Aa'inda Jo Hawadis pesh aane wale hai'n unki Fikr karo, isliye Tum log Yu'n na Samjho k Allah ne Tumhe paida kar ke bekaar chhod diya hai, Tumse koi hisaab v kitaab nahi lega _,"*
*✪_ Aur Yu'n bhi na Samjho k Chu'nki Tumne kaano me Daat de liye Hai'n aur Dilo ko Allah ki Naseehat se fair liya hai, To Allah Ta'ala bhi Tumse Nasihat fair le'nge, Nahi ! Allah Ta'ala Apni inaayat aur Nasihat karne ka Apna Fazal tumhari taraf mutavajjah rakhenge Tum Suno Tab bhi, na suno tab bhi, ibrar Haasil karo tab bhi aur ibrat ki Aa'nkhe band kar lo tab bhi, Allah Ta'ala tumare Saamne Nasihat karte rahenge _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Ahsanaat e ilaahi aur A'amaal Ki Jaza v Saza _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○_ Allah Ta'ala ki niyamato ko Dekho ( Aankh ,Kaan ,Zubaan ,Dilo Dimaag ,Haath Payr ) k Allah Ta'ala ne Kaamil tareen niyamate tumko ataa farmayi hai'n ,aur Chhoti badi Tamaam haajate di , Zindgi ke liye Jo samaan chahiye WO Allah Ta'ala ne diya , Ab tum bhi to Kuchh karoge na !*
*✪○_ Kitni niyamate tumne udaayi WO Allah ke ilm mai hai ,Jo Ahsanaat kiye WO uske ilm mai hai'n ,aur Tum Jo uske muqable mai achchhe aur bure A'amaal kar rahe ho WO bhi Allah Ta'ala ke ilm mai hai ,Aur ye baat khoob yaad rakho Nek Amaal ho ya bure A'amaal ho WO tumne khushi mai kiye ho ya tangi mai ,Sahat mai kiye ho ya Bimaari mai , Un Sab Amaal ki jaza v saza WO dega,*
*✪○_ Allah ke Bando ! Talash mai Mehnat karo aur WO Jo cheez Tamaam khwahishaat ke gharonde ko chakna choor kar deti hai aur Jo Tamaam lazzato ko tod fod kar rakh deti hai, Us Cheez Yani Maut ke aane se pehle pehle Amal kar lo ,Varna baazi haar jaoge ,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Haar Jeet Ka Maidaan To Mehshar hai _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○- Aaj kal to poori qaum lagi hui hai Khail ke Maidaan mai khel ( Match ) dekhne ke liye , Mujhe ek Nojawan ne likha k TV dekhna gunaah hai, Ye to theek hai, Lekin Mai'n Khail ( Cricket match, Football match ) dekhne ka Shoqeen hu'n, To Mai'n kabhi kabhi TV per match dekh leta hu'n , Mashaa Allah bahut achcha muqabla hua, Fala'n Jeet gaya Fala'n haar gaya,*
*✪○- Kya isi Jeet ko tumne Jeet aur isi haar ko haar samajh liya , Haar aur Jeet ka asal Maidaan to aage aane wala hai, Mere Bhai ! Qur'an e Kareem ne Jisko "Yaume Tagabun " farmaya, Dar asal Haar Jeet ka Din aur Haar Jeet Ka Maidaan to Maidaan e Mahshar hai,*
*✪○- To mere Bhai ! Mehnat karo ,Koshish karo, Abhi Sahat hai, quwwat hai, Maut ke aane se pehle pehle A'amaal kar lo, isliye k jis Duniya mai tumhara Dil atak gaya hai, uski niyamate hamesha rehne wali nahi hai, aur Kya maloom yaha'n konsa haadsa kis waqt pesh aa jaye ? Is bare mai koi itminaan nahi hai,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Maut Ke Baad Ka Naqsha_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○┅ Iske baad fir naqsha bayan farmaya hai k Aage Tumhe maloom hai k Tumhe aage kya pesh aane wala hai ? Qabr ke andar to Jo Kuchh pesh aane wala hai WO aane wala hai WO aane wala hai Lekin Qabr ke baad Soor foonk diya jayega, Qabr ukhaad di jayegi, Mahshar ki taraf Sab logo ko haank haank kar le jaya jayega aur hisaab ke Katehre mai logo ko khada kar diya jayega, Hisaab lene wala WO hoga Jiske ilm se koi cheez gaa'ib nahi hogi ,*
*✪○┅ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Abuzar Gaffari Raziyallahu Anhu se farmaya tha k ,Ey Abuzar ! Tosha saath le kar Jana safar bada lamba hai ,Apna bojh zara Halka rakhna ,isliye k ghaanti badi dushwaar hai, is per chadna bada mushkil hai ,Aur Apna Amal Zara khara le kar Jana ,Amal tumhari poonji hai ,*
*✪○┅ Subeh khate ho Shaam Ki fikr karte ho aur WO Jo Qabr mai pade hue hai'n unke bare mai kya irshad hai ? Ye Sab Qayamat tak to Wahi rahenge aur qayamat ke baad uthaye jayenge , WO 50 Hazaar saal ka Din hoga ,Uske liye bhi Kuchh samaan ki zarurat hai k nahi ?*
*✪○┅ Apna Amal khara le kar Jana ,Sikka khota nahi khara hona chahiye, isliye k parakhne wala bada bareek been hai,*
*✪○┅ isko farmaya k fir Tumhe hisaab v kitaab ke liye khada kiya jayega aur tum is shaan se laye jaoge k Ek haankne wala hoga Jo dande ke saath haank raha hoga ,Jese gaay bhens ko haanka jata hai,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Adalate Ilaahi Ke Gawaah _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○┅ Saath ek Gawahi dene wala hoga, Ye Dono gawahi denge, Ek haankne wala aur ek Doosra gawaah ,aur Hazraate Ulma farmate hai'n k ye Do gawah daaye baaye wale hai'n Jinko Kiraman Katibeen kehte hai'n ,Tumhare Naama e A'amaal ka Kaatib kahega - Ye iska daftar hai Jo mere paas taiyaar rakha hai , inkaar karega to gawahi denge, Jab is per bhi inkaar karega kahega k jhoot bolte hai'n mene ye kaam nahi kiya ,*
*✪○┅ Chunache Mishkaat Sharif-485 mai hai k, Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k ek dafa Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Majlis mai Bethe they, Aap muskuraye aur farmaya tum kyu nahi poochhte k Mai'n kyu muskuraya ?Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz kiya- Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam irahad farmaiye !*
*✪_ Farmaya - Banda qayamat Ke din kahega k Ya Allah ! Kya ye baat nahi hai k Aapne mujhko Zulm se Aman diya hai ,Yani tujh per zulm nahi hoga ,Allah Ta'ala farmayenge k bilkul theek hai, mera waada hai k tujh per zulm nahi hoga , to WO kahega k Agar Aapka waada hai k zulm nahi hoga to Mai'n inme se kisi ki gawahi ko tasleem nahi karta _..,"*
*✪○┅ Ahmak ye samjhega k Shayad isse meri jaan chhot jayegi , Farmaya - Bahut khoob bilkul theek hai, WO Jo Surah Yaseen mai farmaya , Yani Allah Ta'ala farmayenge bilkul theek hai, moonh per muhar laga di jayegi, Haath gawahi denge humne ye ye kiya tha, aur Paanv gawahi denge, Fir Allah Ta'ala farmayenge k Ab to theek hai, Ab to Koi gawahi nahi de raha ,Ab tum khud hi Apne ouper gawahi de rahe ho, Kisi ki shahadat hum tumhare Haq mai qubool nahi karte, lekin tum Apne haath aur Paanv ki shahadat to maanoge k nahi ?*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Tamaam A'aza e Jism Gawahi denge _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○- Qur'an e Kareem mai irshad farmaya :- ( Tarjuma ) .. WO Apni Khaalo se kahenge k tum mere khilaaf kyu gawahi deti ho ? WO kahenge k hume bulwa diya hai usne Jisne har cheez bulwa diya hai , Jisne har cheez ko goyaai ataa farmayi hai _," ( Hameem Sajdah -21)*
*✪○- Jo Zubaan ko bulwa sakta hai WO Chamdi ko bhi bulwa sakta hai, Jab Tumhare WO A'aza Jinhone Jurm kiye WO bol kar batayenge fir kya baqi rahega ? Ab Kuchh parda dhanka hua tha ,magar jab us Bande ne jo kuchh kiya aur Jo Kuchh Kiraman Kaatibeen ne likha k isne zina kiya hai. Ye to isne maana nahi, Ab gar uski Sharmgaah bol kar bataye fir to Kuchh sharm aayegi, Uski Aa'nkhe bol kar batayegi k mere saath isne ye kiya, Agar Kiraman Katibeen ki gawahi ko nahi manoge,*
*✪_ Ye Allah Ta'ala ke masoom farishte Jo tumhare Naama e A'amaal likhne per muqarrar hai'n, Aur WO Diwaan aur Daftar tumhara faila diya jayega, Usko nahi manoge to fir Apni (Haath, Payr, Zubaan, Aa'nkhe, Sharmgaah ki ) Gawahi to maanoge,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Maidane Hashr ka Naqsha_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○- Hadees Sharif mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Maidane Hashr ka naqsha Khee'nchte hue irshad farmaya :-*
*"_ Banda Qayamat ke din Apne Rab se Kalaam karega, Banda aur uske Rab ke darmiyan koi Tarjumaan nahi hoga , WO Banda Daa'nyi jaanib dekhega to uske Amal faile hue honge ,Baa'nyi jaanib dekhega to A'amal faile hue ho'nge, Aage Ko dekhega to Aag saamne hogi_,"*
*✪__(Goya k chaaro taraf dekhega ,Pichhe to dekh nahi sakta aur har taraf uske A'amaal faile hue honge, Koi ek aadh panna thode hi hai, humne poori zindgi me Kiraman Katibeen Ke Kitne kaagaz siyaah karwaye hai'n, Ye naqsha bayan kar ke) Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Jo Shakhs Apne Aapko Aag se bachane ki isteta'at rakhta ho, chahe khajoor ki hi ek faa'nk hi deni pade to WO esa kare,(Aadha hissa khajoor ka Jo Sadqa kiya hoga, Usko bhi mamooli na samjho, Ye bhi Dozakh se bachane wali cheez hai ),*
*®_( Tirmizi -2/64)*
*✪○- Garz ye k Tumhare A'amaal ka naqsha hai, To aur kya kahe, aage poore kawa'if Zikr farmaye, Suraj be Noor ho jayega, ChoPaye tak Jama kar diye jayenge, Dil ke bhed khul kar Saamne aa jayenge, Dil Kaa'np rahe ho'nge, Chehre udaas ho'nge, Kahi'n chhupne ki jagah na hogi, Kahi'n Panaah nahi, Koi Saaya nahi, Koi Pine ko Paani nahi, Ye Maidane Hashr hai, Agar ye Saari cheeze bar Haq hai'n to tum Kis gaflat me bhoole hue ho aur tumhe yaha'n ki Zindgi ne kyu fareb de rakha hai ,Kyu dhoke mai daal rakha hai,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Dozakh Ka Naqsha _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○- Fir Allah Ta'ala Fazal farmaye ,Allah Ta'ala bachaye Dozakh se, Dozakh mai Kundiya'n hai'n Jinme Aadmi fans jaye to nikal na sake, Jese Kaanta daala jata hai dariya mai machhliyo ko faansne ke liye, Machhliya us Kaante ko nigal to leti hai ,Fir ugal nahi sakti, Uske liye Kundiya hongi aur Shor macha rahi hongi ,Chilla rahi hongi ,itna Shor k us shor se Aadmi ke hosh ud jayenge ,aur esi kadak jese Bijli ki kadak hoti hai, Esi lipat kar Aadmi ko jhulsa degi,*
*✪○- Ye Jahannam mai dakhil hone se pehle ka naqsha hai, Khuda mehfooz farmaye ,Allah Ta'ala bachaye , Ek Lamha ke liye bhi Allah Ta'ala na bheje ( Aameen )*
*✪_ Gaflat ki zindgi na guzaaro, Apni Aakhirat ki taiyaari karo ,Ye maut, Maut ke baad Qabr ki zindgi, Qabr ke baad Hashr aur uske baad Dozakh, Ye holnaakiya'n aur Fitna Samaniyo'n se bachne ke liye Allah se Daro aur Nek Amaal ka zakhira taiyaar karo ,Allah Ta'ala Tofeeq ataa farmaye, ( Aameen)*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Qayamat Ke Din Ke Paanch Sawalaat_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○- Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k :- Bande ke qadam qayamat ke din Apne Rab ke paas se nahi hilenge yaha'n tak k usse Sawal kiya jaye Paanch cheezo ke bare mai :-*
*1- Uski Umr ke bare mai k usne Umr ko kis cheez mai fana kiya ?*
*2-- Aur uski Jawani ke bare mai k usne isko kis cheez mai guzara ?*
*3-- Aur uske Maal ke bare mai k usne isko kaha'n se haasil kiya ?*
*4- Aur ye k Maal kis cheez mai Kharch kiya ?*
*5-- Aur Jo Cheeze ( ilm ) usko maloom thi unme se kin cheezo per Amal kiya ?*
*®_ Tirmizi - 2/64 _*
*✪○- Hazrat Abu Barzah Aslami Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - Bande ke qadam Apni Jagah se nahi hatenge yaha'n tak k usse ( chand cheezo ke bare mai) Sawal kiya jaye, ( aur WO unka maqool jawab de, Avval ) "_Uski Umr ke bare mai ( Sawal kiya jayega ) k kis cheez mai khatm ki ?( Dom ) Uske ilm ke bare mai k use kis cheez mai istemal kiya ?( Som ) Uske maal ke bare mai k kaha'n se Kamaya ? Aur Kis cheez mai kharch kiya ? Aur ( Chaharam ) Uske badan ke bare mai k isko ( iski quwwato ko ) kis cheez mai kamzor kiya ?*
*®_ Tirmizi - 2/64 _,*
*✪○- Yani Bande ko Apni Umr, Apne maal ,Apne ilm aur Apni Badani Quwwato ke bare mai jawab dena hoga k in Tamaam cheezo ka istemal sahi kiya ya galat, Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke ahkaam ke mutabiq kiya ya unke khilaaf ?*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ _Hisaab v Kitaab Ka Marhala bahut hi Dushwaar hai _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪"_ Agar Aadmi Apni zindgi ke ek din ka hisaab chukane bethe to socha ja sakta hai k isme kitni pareshani hogi ! Aur Yaha'n to ek Aadh Din ka Qissa nahi balki Poori Zindgi ka Hisaab chukana hoga, Ye Esi Holnaak Haqeeqat hai k iske Tasavvur hi se rongte khade ho jate hai'n _,"*
*✪"_ Lekin Hamari Gaflat layaqe Tajjub hai k Miskeen insaan ko hisaab v kitaab ka ye Marhala pesh aane wala hai magar wo Nasha E Gaflat me madhosh is Marhale se bilkul Gaafil aur be Khabar hai, Mubarak hai'n Wo log jo Hisaab ka Din aane se pehle Apna Hisaab durust kar le'n aur Jo Lagzishe aur Kotahiya'n Sarzad ho gayi hai'n, marne se pehle unka kuchh islaah kar le'n _,*
*✪"_ Ye Aan Hazrat ﷺ ki ummat ke haal per Nihayat Shafaqqat hai k Jo imtehani parcha use Qayamat ke din hal karna hai aur Jin Cheezo ka Hisaab bebaaq karna hai, Uski ittela pehle se kar di, Taki har Shakhs Fikrmandi ke Saath iski Tayyari kare aur use waqt per Pareshani ka Saamna na ho _,"*
*✪"_ Haq Ta'ala Shanhu Apni Rehmat v Afu se us Din ki Pareshani se Mehfooz farmaye'n aur Hamare Ujr v Zoaf per Nazar farma kar hamare Aybo ko Apni Magfirat se dhaa'nk le _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Huqooq ul ibaad Ko Zaaya Karne Wala Qayamat Ke Din Muflis Hoga _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Jaante ho muflis kon hai ? Sahaba Raziyallahu Anhu ne arz kiya : - Ya Rasulallah ! Humme muflis WO Shakhs kehlata hai Jiske Paas Rupiya Paisa aur Maal v Mata na ho,*
*✪_Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- meri ummat mai muflis WO Shakhs hai Jo qayamat ke din Namaz ,Roza aur Zakaat le kar esi haalat mai aayega k kisi ko gaali di thi , Kisi per Tohmat lagayi thi, Kisi ka maal khaya tha ,Kisi ka khoon bahaya tha ,Kisi ko maara pita tha, Pas ye Tamaam log Apne Huqooq ka badla uski nekiyo'n se wasool karenge , Uske zimme Jo logo ke Huqooq hai'n, Agar unke poora hone se pehle uski nekiya'n khatm ho gayi to Ahle Huqooq ke gunaah le kar us per daal diye jayenge, fir use Dozakh mai faink diya jayega _,"*
*✪○- Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se doosri Hadees mai manqool hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Allah Ta'ala us Shakhs per raham farmaye jiske zimme uske Bhai ka koi gasb karda Haq ho , Khwah uski izzat v aabru ke mutalliq ya uske maal ke mutalliq ,to uske paas Jaa kar usse maaf kara le, isse qabl k WO ( qayamat ke din un Huqooq ki vajah se ) pakda jaye aur Waha'n koi dirham v dinaar to hoga nahi ( Sirf Neki aur badi ka sikka chalega aur unhi ke zariye Waha'n Huqooq ki adaaygi hogi ),*
*✪_Pas Us Shakhs ke paas agar Kuchh nekiya'n ho to uski nekiyo'n se mu'awza kiya jayega aur agar uske paas nekiya'n na hui to log ( Apne Huqooq ke badle mai ) us per Apne gunaah daal denge _,"*
*®_ Tirmizi- 2/ 64 _,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Qayamat Ki Ruswaayi Se Bache _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○- Ahdees Tayyaba se maloom hua k hum Jo doosro ki Geebate karte hai'n, unko gaali galoch karte hai'n, kisi ki tehqeer karte hai'n, Kisi ko jismani ya zahni takleef pahunchate hai'n, Ya kisi ka maal hazam kar jate hai'n to, dar asal ye uska nuqsaan nahi balki hum apna hi nuqsaan karte hai'n k qayamat ke din hume unka mu'awza Apni nekiya'n de kar ada karna hoga, Jab ek ek Neki ka Banda mohtaaj hoga,*
*✪○- Akabir Farmate hai'n k Huqooq ul ibaad ka maamla ek lihaaz se Huqooqullaah se zyada sangeen hai , Kyunki Haq Ta'ala Shanhu Gani hai maaf bhi kar denge, Lekin bande mohtaaj hai'n, Unse ye tawaqqo k maaf kar de, illa Masha Allah,*
*✪○- Ye bhi maloom hua k Huqooq ul ibaad ka maamla sirf insaano tak mehdood nahi ,balki haiwanaat tak faila hua hai, bavjood iske k haiwanaat Ahkaame Shaiya ke mukallif nahi, lekin agar ek Bakri ne doosri Bakri se zyadti ki hogi to uska badla bhi dilaya jayega, Pas insaan Jo Apni aqal v shaour ki badaulat mukallif hai, Agar usne kisi jaanwar per bhi zulm kiya hoga, Uska badla bhi use dilaya jayega,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Huqooq Ki Talaafi Ki Soorte'n _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_Qayamat ke Din Huqooq se Ahad bara hone ke liye Zaroori hai k Awaal to Aadmi kisi ka haq apne Zimme na rakhe, balki poori Dayanat v Amanat ke saath Apne mamlaat ko saaf rakhe aur kisi ki Geebat vagera se parhez kare aur agar Gaflat v Kotaahi ki vajah se uske Zimme kuchh Huqooq Laazim ho to unki Talaafi v Tadarik ki koshish kare,*
*✪_"_ Aur Talaafi ki Tafseel ye hai k Huqooq ya maali honge ya izzat v Aabru se mutalliq aur dono Soorato me Sahibe haq maloom hoga ya nahi ? Pas ye kul chaar Soorte hai'n:-*
*"_ Awwal - Haq maali ho aur Sahibe Haq maloom ho, is Soorat me uska haq ada kar de, aur agar Ada karne ki qudrat na rakhta ho to usse maaf kara le ,*
*✪_"_ Dom - Haq maali ho aur Sahibe Haq maloom ho, Maslan kisi Shakhs se koi cheez khareedi thi, Uske Daam ada nahi kiye they aur Wo Shakhs kahi gayab ho gaya, ab uska kuchh ata pata nahi chalta, ya wo Shakhs mar gaya aur uska koi Waaris bhi maloom nahi to is Soorat me itni Raqam uski taraf se Sadqa kar de,*
*✪_"_ Som :- Agar Haq gair maali ho aur Sahibe Haq maloom ho, Maslan kisi ko maara tha ya use gaali di thi, Ya uski Geebat ki thi ya uski Tehqeer ki thi to usse maafi maangna zaroori hai,*
*✪_"_ Chaharam :- Agar Haq gair maali ho aur Ashaabe Huqooq Maloom na ho, yani ye yaad na ho k zindgi bhar me kis kisko gaali di ? Kisi kisko sataya ? Kis kiski geebate ki ? Vagera vagera, To iski Tadbeer ye hai k un sabke liye Dua v istagfaar karta rahe, Allah Ta'ala ki bargaah me kuchh tauba v Nadamat ke saath ye Dua karta rahe - Ya Allah ! Mere Zimme tere bahut se bando ke Huqooq hai'n aur Mai'n unko Ada karne ya Ashaabe Huqooq se maafi maangne per bhi qadir nahi hu'n, Ya Allah! Un Tamaam logo ko Aap apne khazana Rehmat se badla ata farma kar unko mujhse Raazi kar dijiye_,"*
*✪_"_ Yahi Tadbeer is Soorat me Akhtyar ki jaye, jab Sahibe Haq to maloom ho magar usse maafi maangna mumkin na ho ya Deeni maslihat ke khilaaf ho, Ya kisi ka maali haq uske Zimme ho magar ye uske Ada karne ki qudrat na rakhta ho,*
*"_ Algaraz ! Huqooq ki adaygi ya Talaafi ka bahut hi Ahatmaam hona chahiye, Varna Qayamat ka maamla bahut hi mushkil hai,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻Qayamat Ke Din Ke Pasine Ka Bayan_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Hazrat Miqdaad Raziyallahu Anhu se rivayat hai k :- Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ko ye irshad farmate hue suna hai k :- Jab Qayamat ka din hoga ,Suraj bando ke qareeb laya jayega ,yaha Tak k meel do meel ke faasle per hoga _,"*
*✪_Saleem bin Aamir Raziyallahu Anhu kehte hai'n k - mai'n nahi jaanta k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne kis meel ka iraada farmaya , aaya zameen ki musafat ka ? Ya wo meel ( yani surma ki salaa'i ) Jisse Aankho mai surma lagaya jata hai ? Pas Aftaab unki charbi pighla dega, Pas log apne A'amaal ke baqadar paseene mai nahaye hue ho'nge, Kisi ka paseena takhno Tak hoga , Kisi ka ghutno Tak ,Kisi ka Kamar Tak aur kisi ka mooh Tak pahuncha hoga _"*
*✪_Hazrat Miqdaad Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ko dekha k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne haath se Apne dahan mubarak ki taraf ishara kar ke farmaya k- baaz ka paseena unke moonh ko lagaam diye hue hoga _"*
*®_ Tirmizi -2/ 24-25_*
*✪_ Ek Hadees mai Hai k Qayamat ke din Logo'n ko is qadar Paseena aayega k Unka Paseena zameen mai Sattar Gaz Tak jayega aur unke Moo'nh mai Lagaam ki tarag hoga, Yaha'n Tak k unke kaano Tak pahu'nch jayega _"*
*®_ Bukhari _*
*✪○- Ahadees ka mudda'a ye Hai k hum khwabe gaflat se bedaar ho kar us khofnaak din ke liye Jo Bahar haal har ek ko pesh aana Hai, Tayyari kare, Un asbaab ko akhtyar kare jinke zariye un Ahwaal se chhuktkara naseeb ho , Humse Huqooqullah, Huqooqul ibaad mai jitni kotaahiya hui hai'n ,unse Tauba kar ke unki talaafi ka ahtmaam kare aur Kareem Aaqa ki Baargaah mai hamesha iltija karte rahe k mahaz Apne lutfo karam v ahsaan se hume Qayamat ke din ki zillat v ruswaa'i se Mehfooz rakhe, Duniya ki gandgiyo se paak saaf kar ke waha'n le Jaye aur Qayamat ke din Apne maqbool Bando ke saath hamara hashar farmaye ,( Aameen )*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Hashr Ka Bayan _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○- Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k – Logo ko jama kiya jayega Qayamat ke din esi haalat mai k barhana pa , Barhana Badan aur gair makhtoon honge ,Jesa k Paida’ish ke waqt they , Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye Aayate kareema tilawat farmayi–(Surah Al-Anbiya, Aayat 104:)*
*ِ كَمَا بَدَأْنَا أَوَّلَ خَلْقٍ نُّعِيدُهُ وَعْدًا عَلَيْنَا إِنَّا كُنَّا فَاعِلِينَ*
*"_( Jesa k Sire se banaya Tha humne pehli baar ,fir usko dohrayenge ,waada zaroor ho chuka Hai hum per ,humko poora karna Hai )*
*"__ Aur makhlooq mai se pehle Shakhsh Jinko libaas pehnaya jayega Wo Hazrat Ibrahim Nabiyana wa Alaihissalatu Wassalam honge, Aur mere Ashaab mai se kuchh logo ko Daayi jaanib aur baaz ko Baayi jaanib ( yani dozakh ki taraf ) le Jaya jayega ,to mai’n Kahunga –Ya Allah ! Ye to mere Ashaab hai’n ,”*
*"_ Pas kaha jayega k – Aap nahi jaante k inhone Aapke baad Kya kiya ? Aap jabse unse juda hue ye hamesha murtad rahe,*
*✪_Pas mai’n Kahunga Jess k nek Bande ( Hazrat Isaa Nabiyana Alaihissalatu Wassalam ) ne kaha – Ya Allah ! Aap inko azaab de to Aapke Bande hai’n aur agar Aap inki magfirat farma de to Aap zabardast hai’n ,hikmat wale hai’n _”*
*®_ Tirmizi – 2/65 _*
*✪○- Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se rivayat hai k Rasulullah ﷺ ne irshad farmaya k– log nange Paa'nv, Barhana Badan aur gair makhtoon uthaye jayenge, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai’n k Maine arz kiya– Ya Rasulullah ! Kya Mard aur Aurte’n ek doosre ko dekh rahe honge ?Aan Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya– maamla isse kahi sakht hoga k Kisi ko iska khayal bhi aaye , _”( Sahih Bukhari _)*
*"_ Ek Rivayat me hai k - Ayesha Maamla isse Kahi'n Sakht hoga k koi kisi ko dekhe _," ( Sahi Muslim)*
*✪"_ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu Ka Waqi'a Zikr kiya gaya hai k unki Wafaat ka qareeb aaya to naye kapde mangwa kar pehne, fir farmaya k, Maine Rasulallah ﷺ ko ye irshad farmate hue khud Suna hai k Marne walo ko unhi kapdo me uthaya jayega Jinme marega _," ( Abu Douwd 2/88)*
*✪"_ Baaz Ahle ilm ke Nazdeek Hazrar Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu ki is Hadees me Kapdo se muraad A'amaal hai'n, Yani Jin A'amaal me Aadmi ki maut aati hai usi haalat me Qayamat ke Din uthaya jayega, Ye mazmoon Doosri Ahadees me bhi Vaarid hui hua hai, aur baaz Hazraat ne isko Shohda ke saath Makhsoos kiya hai, Kyu'nki Jin Kapdo me Wafaat ho Shaheed ko unhi kapdo me dafan kiya jata hai, Jabki doosre logo'n ke wo kapde utaar liye jate hai'n aur Kafan pehnaya jata hai,*
*✪"_ Bahar haal Qabro se uthte waqt Logo'n ke badan per Libaas nahi hoga, Balki har Shakhs ki Haisiyat v martabe ke mutabiq use baad me Libaas pehnaya jayega _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Wo Kaun Log Honge Jinko Hoze Kausar Se Rok Diya Jayega ?,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○- Hadees Paak mai ye Bayan guzra Hai k Kuchh logo looks Baayi jaanib yani dozakh ki taraf le Jaya jayega to Aap Sallallahu Alaihivasallam farmayenge k ye to mere Ashaab hai’n, farmaya jayega – Aapko maloom nahi k inhone Aapke baad Kya kiya ? Ye log Aapke baad ulte paanv fir gaye they –*
*“_ Ye guftgu galiban Hoze Kausar per hogi , Kyunki mut’addid Ahadees mai waarid hua Hai k jab Aap Sallallahu Alaihivasallam ki ummat Hoze Kausar per haazir hogi to Kuchh logo ko rok diya jayega ,is per ye guftgu hogi ,*
*○┅✧ Sahih Bukhari (Jild -1 Safa-490 ) mai imaam Bukhari Reh. Ke Shagird Fareri Reh. ne imaam Bukhari Reh ke hawale se unke Shekh Qabisa bin Uqba Reh ka qaul naqal kiya Hai k isse muraad wo log hai’n Jo Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke daur mai murtad ho gaye they aur jinse Hazrat Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu ne qitaal kiya,*
*"_ Imaam Khatabi Reh farmate hai’n k – Ba Alhamdulillah Sahaba Kiraam Raziyallahu anhum mai se koi murtad nahi hua , Murtadeen Akhkhad qism ke dehaati baddu they , unme se aksar wo log they Jinko Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazri ka moqa nahi Mila tha, aur Jo Chand hazraat haazir hue unhone bhi mahaz zaahiri ita’at qubool ki thi , haqeeqate imaan unke Dil mai raasikh nahi hui thi,*
*○┅✧ Baaz hazraat Farmate hai’n k isse munafiqeen muraad Hai aur baaz be kaha Ahle Kaba’ir ya Ahle Bid’at muraad Hai,*
*“__Sahih Bukhari ,2/975 ) mai Hai k ibne Abi Malyka Taba’i Reh. Jab is Hadees ko rivayat karte to ye Dua kiya karte they – Ey Allah ! Hum is baat se Aapki Panaah chahte hai’n k hum ulte paanv lot Jaye ,Ya Apne Deen ke maamle mai fitne mai mubtila ho Jaye _”*
*○┅✧ Sahih Bukhari ke Hasiye mai Allama Qustlani Reh se naqal kiya Hai k hamare Ulma ne farmaya k Wo tamaam log Jo Deen se Fir gaye , Ya Unhone Deen mai esi baat iyjaad ki Jo Allah ta’ala ke nazdeek na pasandida thi aur jiski ijazat nahi thi, Ye log Hoze Kausar se hata diye jayenge , is fehrist mai wo log bhi hai’n Jo Musalmano ki jama’at ke khilaf rahe ,Jese Kharjiyo ,raafziyo aur motzaliyo ke tamaam firqe, Kyunki ye sab log Deen ko badalne wale hai’n ,Isi tarah wo zaalim v maarif Jo Joro Sitam ke murtkab they ,Haq ko mitane wale aur Ahle Haq ko qatl karne wale aur logo ko gumraah karne wale they ,*
*“__ Neez Jo log Kabeera Gunaaho ka Elaniya irtkaab karte hai’n aur Gunaah ko halki cheez samajhte hai’n ,Ye log Hoze Kausar se mehroom rahenge,*
*_ Ya Allah hamara Khaatma bil khair farmaiye aur Hume un kaamyab logo mai se bana dijiye Jin per na koi khof hoga aur na wo gamgeen honge aur Hume hamare Nabi Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke Hoze Kausar se sairaab kijiye , Birahmatik ya Ar Hamar Rahimeen _”*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Qayamat Ke Din Ki Peshi_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○- Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-“_ Qayamat ke din logo ki teen Peshiya’n hongi, pehli do peshiyo mai to bahas ,jhagda aur uzr ma’azrate hongi ,aur teesri peshi Naama A’amaal ( ke nata’ij ) haatho mai pakdaye jayenge, Pas koi dahine haath mai Lega aur koi baaye haath mai _,”*
*®_ Tirmizi -2/65 _*
*✪○- Yani do peshiyo mai to ye hoga k jab mujrimo ke saamne unke Naama A’amaal pesh kiye jayenge to wo inkaar ki koshish karenge ,k ye hamare A’amaal nahi hai’n, hamare naam jhoot moot likh diye gaye hai’n, Kabhi kahenge k ,hamare pass koi darane Wala nahi aaya ,hum to bilkul be khabar they , Kabhi kahenge k, hamare bado ne Hume gumraah kiya, hum to unke taabe they, hamara koi qusoor nahi, Kabhi kahenge k , Hume Duniya mai dobara bhej diya Jaye ,hum nek aur farmabardaar ban kar aayenge,*
*✪○- Algaraz is tarah so so uzr bahane kar ke jaan bachane ki koshish karenge magar ye sab bahane bekaar jayenge aur saari hujjato ko ek ek kar ke tod Diya Jayega, jab mujrimo ke pass koi hujjat baqi nahi rahegi to teesri peshi mai har ek ki qismat ka aakhri faisla kar Diya Jayega, Allah ta’ala ke nek farmabardaar bando ko nihayat izzat v ikraam ke saath jannat ka parwana unke daaye haath mai Diya Jayega jise padh kar wo Khushi se baag baag ho jayenge aur mujrimo nafarmano ko laanat ka toq pehna kar unki saza ka faisla baaye haath mai Diya Jayega aur wo ba sadre zillat v khwari v asle jahannam honge,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻_Hisaab Kitaab Ka Bayan_,*
┏───────────────────┯ ✿
*○┅✧ Hazrat Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se rivayat hai k Maine Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko ye farmate hue suna Hai k :- Jis shakhs se hisaab mai munaqsha kiya gaya wo halaak ho gaya, Maine arz kiya- Ya Rasulallah ! Allah Ta'ala to irshad Farmate hai'n- So Jisko Mila A’amaal Naama uske Daahine haath mai to usse Hisaab lenge Asaan Hisaab _,”( Al inshqaaq -5 Tarjuma Shekhul Hind ), Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- isse muraad A’amaal Naama pesh hona Hai _,”*
*® Tirmizi -2/65*
*○┅✧Tashreeh _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ko shubha ye Tha k Aayate Karima se to maloom hota Hai k Jin logo ka Hisaab hoga wo rahmat v magfirat ka morid honge aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke irshad se maloom hota Hai k jiska Hisaab hua wo halaak hua , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne wazahat farmayi k Aayate Karima mai Jis Asaan Hisaab ka zikr Hai wo ye Hai k Bande ka A’amaal Naama uske saamne pesh Kar ke usse chashm poshi v darguzar ka maamla kiya Jaye, uske kisi Amal per koi bahas aur Baaz purs na kiya Jaye, Kyunki is Baaz purs ka uske paas koi jawab nahi hoga,*
*○┅✧ Qayamat ke Din Kareem Aaqa ka maamla har Shakhs ke saath uske hasbe haal hoga ,Baaz Sa’adat Mando ke bager Hisaab Kitaab jannat mai dakhil kiye Jane ka elaan farma diya jayega ,Baaz ke saath Asaan Hisaab ka maamla kiya jayega , Baaz ke saath mazeed ahsaan hoga k uske chhote chhote Gunaah pesh Kar ke farmaya jayega k -” in Gunaaho ko nekiyo’n mai tabdeel Kar diya Jaye _”*
*✪__ is be paaya fazal v ahsaan ko dekh Kar Banda be akhtyar pukaar uthega k -” Ya Allah ! Mere bade bade Gunaah to abhi baqi Hai ,wo to abhi pesh hi nahi hue ,” Subhanallah ! Kya Shaane Karam Hai k Gunahgaro ko unke qusoor per Saza ke bajaye in’aam mil raha Hai aur mujrim rehmat ke nashe se sarshaar ho Kar khud Apne jurm ka izhaar Kar rahe hai’n,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Qayamat ke Din Zameen Ki Pusht insaano Per Gawah hogi_,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ye Aayate Karima tilawat farmayi – (Tarjuma) us din Bayan karegi zameen Apni khabre, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- “_ Jaante ho Uski khabre Kya hai’n ?_ Sahaba Kiraam Raziyallahu anhum ne arz kiya k – Allah Ta’ala aur uska Rasool Behtar Jaante hai’n,*
*“_ Farmaya– uski khabre ye hai’n k Wo har Bande aur Bandi per Gawahi degi, Jis shakhs ne Jo Amal uski Pusht per kiya Tha, Yu’n Kahegi k fala Shakhs ne fala fala din fala fala Amal kiya Tha, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Allah Ta’ala ne zameen ko iska hukm diya ( aur hukme ilaahi se Bayan karegi ) _,”*
*®_ Tirmizi – 2/ 65 _*
*○┅✧ insaan Jo nek ya bura Amal karta Hai uska ek record to ilme ilaahi mai mojood Hai, doosra lohe mehfooz Mai mehfooz Hai, Teesra Kiraman Kaatibeen ke Naama A’amaal me likha ja raha Hai, Chotha insaan ke a’aza jaware mai record ho raha Hai ( ye bhi Gawahi denge ) Paanchwa Zameen ki satah mai record ho raha Hai, Jis tarah Audio Video mobile camera record karta Hai , isi tarah zameen bhi insaan ke achchhe bure A’amaal ko record Kar rahi Hai,*
*○┅✧Aur Qayamat ke Din wo Apna tamaam record ugal degi ,aur insaan ke ek ek Amal per Gawahi degi k is Shakhs ne fala waqt Namaz nahi padhi thi, Chori ki thi ,Kisi na mahram ko buri Nazar se dekha Tha vagera vagera, Haq Ta’ala Shanhu Apni Shaane karimi se Bande ki parda poahi farmaye to uski rehmat Hai Varna jab insaani a’aza jaware aur zameen bhi uske khilaf shahadat dene lage to uski zillat v ruswaa’i ka Kya thikana Hai !*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Soor Foonke Jane Ka Bayan _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪_Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- “_ Mai’n kese khush hou Halanki Soor Foonke wale fariahte ne Soor Apne moonh mai le rakha Hai aur hukme ilaahi ki taraf kaan lagaye hue Hai aur wo muntazir Hai k use kab Soor Foonke ka Hukm kiya jata hai ?*
*"_Raavi kehte hai’n k ye irshad goya Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Sahaba Raziyallahu anhum per Bahut hi bhaari guzra to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unse farmaya-* *_Hasbunallaahu wa ni’amal Vakeelu , Alallaahi tawakkalna ,* *( Allah Ta’ala humko kaafi Hai aur behtreen kaarsaaz Hai ,humne Allah hi per bharosa kiya Hai )_,”*
*®_ Tirmizi – 2/65_*
*○┅✧ Soor Foonke ka zikr Qur’an e Paak mai Bahut si jagah aaya Hai , Soor Do baar foonka jayega ,ek jab Allah Ta’ala is Aalam ko fana karna chahenge to Israfeel Alaihissalam ko Hukm hoga ,Wo Soor foonkege ,Shuru mai iski awaaz Bahut dhimi aur surili hogi Jo tadrijan badhti jayegi Jisse insaan, jinnaat, parinde, ccharinde sab madhoshi ke aalam mai bhagenge aur awaaz ki shiddat aur badhegi to sabke jigar fat jayenge, Pahaad Reza Reza ho jayenge aur rooi ki tarah udne lagenge, Asmaan fat jayega, Sitaare jhad jayenge, bil Aakhir Asmaan v zameen fana ho jayenge ,aur zaate ilaahi ke Siva koi cheez baqi nahi rahegi,*
*○┅✧ Kuchh arse baad ( Jiski miqdaar Baaz rivayat mai 40 Saal aayi Hai ) Allah Ta’ala Israfeel Alaihissalam ko zinda Kar ke fir Soor Foonke ka hukm denge Jisse Poora Aalam dobara vajood mai aa jayega ,Murde Qabro se uthenge aur maidane Hashr mai Hisaab Kitaab ke liye sab log jama honge,
*✪✧- Qayamat ka Soor Foonka Jana nihayat holnaak Cheez Hai k zameen v Asmaan aur Pahaad bhi isko bardasht nahi Kar sakenge , Chunki ye manzar Aap Sallallahu Alaihivasallam ke peshe nazar rehta Tha isliye Aapne farmaya k mai’n kis tarah khush hou Jabki Soor Foonke Wala farishta use moonh Mai liye intezar mai khada Hai k use kab Hukm hota Hai,*
*○┅✧ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Jo Kuchh mai’n jaanta hu’n agar tumhe maloom ho jata to tum Bahut kam hansa karte ,Bahut zyada roya karte aur tumhara Khana Pina chhot jata aur tum bistaro per na so sakte aur Aurto’n ko chhod dete aur tum rote hue gidgidate hue Bahar sadko per nikal aate, Aur Mera ji chahta Hai k Kaash Allah Ta’ala ne mujhe darakht paida kiya hota Jisne kaat liya jata ( Ye Aakhri fiqrah galiban Abuzar Raziyallahu Anhu raavi ki Hadees ka Hai ) _,”*
*®_ Mustadrak Hakim – 4/579 _*
*○┅✧ Mustadrak Hakim ki Hadees mai Hai k Soor Foonke Wala farishta jabse is per muqarrar hua Hai usne jabse aankh nahi jhapki , balki uski nazare barabar arsh ki taraf lagi hui Hai k mubada Aankh jhapakne se Pehle hi usko Soor Foonke ka hukm ho Jaye, goya uski Aankhe chamakdaar Sitaare hai’n,*
*○┅✧ Hafiz ibne Kaseer Reh. ” Al nihaya fil fitn Val mulahim ,Jild 1- Safa 279″ mai likhte hai’n :- Soor Ka foonka Jana teen baar hoga ,Avval se log ghabra jayenge ,aur doosre se behosh ho jayenge aur teesre se dobara zinda ho jayenge _,”*
*✪“__ Hafiz ibne Hajr Reh. ne ” Fatahul Baari -11/ 329 ” mai ibne Arbi se bhi yahi naqal kiya Hai,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Pul Siraat Ka Bayan _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○✧_ Hazrat Mugira bin Shoba Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-“_ Ahle imaan Ka Sha’arar Pul Siraat per Rabbe Sallim Sallim ( Yani Ey Rab ! Salamti se paar kar dijiye )_,”*
*®_ Tirmizi – 2/66*
*✪○✧Pur Siraat Jahannam ki pusht per qaa’im hoga Jo Baal se zyada baareek aur Talwar se zyada tez hai , Sab logo ko is per se guzarna hoga, har shakhs ki raftaar uske A’amaal ke mutabiq hogi,*
*✪_ Koi bijli ki tezi se guzar jayega, Koi tayyaro ya Parindo ki udaan ki tarah, Koi Nihayat Tez Raftaar Ghode ki tarah, Koi Aadmi ke daudne ki Raftaar se, Koi Aadmi ki Mamooli Raftaar se, Koi Doodh pite Bachche Ki Tarah Rengta hua jayega aur Koi Kat Kat kar Jahannam me girega,*
*✪_ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k - Maine Nabi Kareem ﷺ se Darkhwast ki k Qayamat ke Din meri Shafa'at farmaye'n, Aap ﷺ ne farmaya- zaroor karunga, Maine arz kiya - Ya Rasulallah! Fir Aapko Kaha'n Talash Karu ?*
*"_ Farmaya - Sabse Pehle mujhe pul Siraat per talash karna, Maine arz kiya Agar pul Siraat per Aapse Mulaqaat na ho sake to ? Farmaya - To fir mizaan ke paas talash karna, Maine arz kiya - Agar mizaan ke paas bhi Aapse na mil saku to ? Farmaya - Fir Hoze Kosar per mujhe talash karna, kyunki Mai'n in Teen Jagaho se Chothi jagah nahi ho'unga _,"*
*®_ Tirmizi - 2/ 22,*
*✪"_Tashreeh- is Hadees Paak me do cheeze gor talab hai'n, Ek ye k Aap ﷺ ne sabse pehle Pul Siraat per, fir Mizaan per aur uske baad Hoze Kosar per Aap ﷺ ko talash karne ka hukm farmaya, Jisse ye khayal hota hai k Pul Siraat ka Marhala Mizaan se pehle aur Hoze Kosar per Haazri Mizaan ke baad hai,*
*✪_ Lekin Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki Hadees me hai k Aap ﷺ ne farmaya k - Teen moqe ese hai'n Jaha'n koi kisi ko yaad nahi karega, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Mai'n ek baar Dozakh ko yaad kar ke Ro rahi thi, Aan Hazrat ﷺ ne rone ka sabab dariyaft farmaya to arz kiya k Mai'n Jahannam ko yaad Kar ke rone lagi, Fir arz kiya k Kya Aap Qayamat ke Din Apne ghar ke Logo'n ko bhi Yaad rakhenge?*
*✪_ Aan Hazrat ﷺ ne farmaya - Teen moqo per to koi kisi ko yaad nahi karega, Ek to Mizaan ke paas, Yaha'n tak k maloom ho jaye k uski Mizaan halki hoti hai ya bhaari ? Doosre Naama A'amaal Haathi me diye jane ke waqt, Yaha'n tak k Maloom ho jaye k Uska Naama A'amaal kis haath me diya jata hai, Daaya'n haath me ya Pusht ke pichhe se uske Baa'nye haath me ? Aur Siraat ke paas Jabki Wo jahannam ki pusht per rakha jayega _,"*
*®_ Mishkaat - 486,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Nabi Kaeeem Sallallahu Alaihivasallam Ki Shafa’at _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○✧ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k ( ek dawat mai ) Nabi Kaeeem Sallallahu Alaihivasallam ke paas gosht laya gaya, pas dasti Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai pesh ki gayi aur gosht Ka ye hissa Aapko bahut margoob Tha , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne daanto se ek baar noch kar tanawul farmaya aur irshad farmaya k :“_ Mai’n qayamat ke din logo Ka Sardaar hunga ,Jaante ho esa kyu hoga ? Allah Ta’ala tamaam Avvaleen aur Aakhireen ko ek saaf maidaan mai jama karenge ,Pas pukarne Wala unko awaaz suna sakega aur Nazar unse aar paar hogi , aur Aftaab unke qareeb hoga ,Pas logo ko Gam aur becheni is had tak laahiq hogi k unki taaqat aur had bardasht se bahar hogi ,*
*✪_Pas log ek doosre se kahenge k– tum dekh nahi rahe k tumhari pareshani Ka Kya aalam hai ? Kya tum ese Shakhs ko nahi dekhte Jo tumhare Rab ke paas tumhari Sifarish kare ?*
*"_ Log ek doosre se kahenge k ( is maqsad ke liye ) Aadam Alaihissalam ke paas Jana chahiye ,Chunache log Aadam Alaihissalam ke paas aayenge aur unse arz karenge k – Hazrat Aap Abul Basheer hai’n, Allah Ta’ala ne Aapko apne haath se paida Kiya ,Aapme Apni ( taraf se ) rooh daali ,aur farishto ko sajda Ka hukm farmaya to unhone Aapko Sajda Kiya ,Aap Apne Ra ke paas hamari Sifarish kijiye, Aap dekhte nahi k Hume kesi pareshani laahiq hai ?*
*✪_Ye Sun kar Hazrat Aadam Alaihissalam farmayenge k – Aaj Mera rab eza gazabnaak hai k na Aaj se pehle kabhi esa gazabnaak hua aur na Aaj ke baad esa gazabnaak hoga aur usne mujhe darakht se Mana Kiya Tha lekin mai’n uska ye hukm poora na kar saka , Nafsi Nafsi Nafsi, Tum kisi aur ke paas jao ,Tum Nooh Alaihissalam ke paas jao,*
*✪○✧ Chunache log Hazrat Nooh Alaihissalam ki khidmat mai haazir honge ,unse arz karenge k :- Aap pehle Rasool hai Jo Ahle zameen ki taraf bheje gaye aur Allah Ta’ala ne Aapka Naam ” Shukr guzaar Banda ” rakha hai, Aap Apne Rab ke paas hamari Sifarish kijiye !Aap dekhte nahi k Hume kesi pareshani laahiq hai ?*
*"_ Hazrat Nooh Alaihissalam farmayenge k :- Mera Rab Aaj esa gazabnaak hai k Aaj se pehle kabhi esa gazabnaak hua aur na Aaj ke baad kabhi esa gazabnaak hoga ,aur mere liye ek makhsoos Dua thi Jo maine Apni qaum per bad Dua kar ke poori kar li ,Nafsi Nafsi Nafsi ! Tum kisi doosre ke paas jao, Ibrahim Alaihissalam ke paas jao,*
*✪○✧ Chunache log Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki khidmat mai haazir honge aur arz karenge k:- Aap Ahle zameen per Allah ke Nabi aur uske Khaleel they, Aap Apne Rab ke paas hamari Sifarish kijiye ! Aap dekhte nahi k Hum kis haalat mai hai’n ,?*
*"_Hazrat Ibrahim Alaihissalam farmayenge k :- Mera Rab Aaj esa gazabnaak hua aur na Aaj ke baad kabhi esa gazabnaak hoga,aur maine teen baato mai toriya Kiya Tha ( Abu Hayaan Raavi ne Hadees mai un teen baato Ka zikr Kiya hai ), Nafsi Nafsi Nafsi ! Tum kisi aur ke paas jao, Moosa Alaihissalam ke paas jao,*
*✪○✧ Chunache log Hazrat Moosa Alaihissalam ki khidmat mai haazir honge unse arz karenge k:- Aap Allah Ta’ala ke Rasool hai’n, Allah Ta’ala ne Aapko Apne paigamaat aur bila waasta kalaam ke saath logo per fazilat di thi, Aap Apne Rab ke paas hamari Sifarish kijiye ! Aap dekhte nahi k Hum kis haalat mai hai’n ?*
*"_Wo farmayenge k– Aaj Mera Rab esa gazabnaak hai k na Aaj se pehle kabhi esa gazabnaak hua aur na Aaj ke baad kabhi esa gazabnaak hoga,aur Maine ek ese Shakhs ko qatl kar Diya Tha Jiske qatl Ka mujhe hukm nahi hua Tha, Nafsi Nafsi Nafsi, tum log kisi doosre ke paas jao, Tum Iysaa Alaihissalam ke paas jao,*
*✪○✧ Chunache log Hazrat Iysaa Alaihissalam ki khidmat mai haazir honge aur arz karenge k – Aap Allah ke Rasool hai’n aur Kalmatullaah hai’n Jo Allah Ta’ala ne Hazrat Mariyam ki taraf daala Tha aur Aap Allah Ta’ala ki taraf se aayi Hui rooh hai’n aur Aapne gahware mai baate ki thi ,Aap Apne Rab ke paas hamari Sifarish kijiye ! Aap dekhte nahi k Hum kis haalat mai hai’n ?*
*"_ Wo farmayenge– Mera Rab Aaj esa gazabnaak hai k na Aaj se pehle kabhi esa gazabnaak hua aur na Aaj ke baad kabhi esa gazabnaak hoga ,Aur Hazrat Iysaa Alaihissalam apna Koi qusoor zikr nahi karenge, Nafsi Nafsi Nafsi ! Tum log kisi doosre ke paas jao, Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke paas jao,*
*○┅✧ Chunache log Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke paas ( aur ek rivayat mai Hai k mere paas ) aayenge, Pas kahenge k – Aap Allah Ta’ala ke Rasool aur Aakhri Nabi hai’n aur Allah Ta’ala ne Aapke Sab agle pichhle qusoor maaf kar diye hai’n ,Aap Apne Rab ke paas hamari Sifarish kijiye ! Aap dekhte nahi k Hum kis haalat mai hai’n ?*
*"_Chunache Mai’n (Sifarish ke liye )chalunga ,Pas arsh ke niche pahunch kar Apne Rab ke saamne sajde mai gir jaunga ,Pas Allah Ta’ala mujh per Apni Hamdo Sana ke wo mazameen kholenge Jo mujhse pehle kisi per nahi khole honge,*
*○┅✧ Fir farmaya jayegak– Ey Muhammad! Sar uthaiye, maange Jo maangna chahte hai’n Aapko ata Kiya jayega aur Sifarish kijiye Aapki Sifarish suni jayegi, Pas Mai’n Sajde se Sar uthaunga aur arz karunga – Ey Rab meri ummat ! Ey Rab meri ummat ! Ey Rab meri ummat !*
*"_Pas Haq Ta’ala Shanhu irshad farmayenge k – Ey Muhammad ! Apni ummat ke un logo ko jinke zimme hisaab nahi, jannat ke daaye darwaze se dakhil kijiye aur ye log doosre darwazo ke saath shareek hai’n,*
*"_Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k – qasam Hai us zaat ki Jiske qabze mai Meri jaan Hai ! Jannat ke darwazo Mai se har ek darwaze ke do kiwado ke darmiyan faasla itna Hai jitna k Makka aur Hijr aur Makka aur Basra ke darmiyan Ka faasla Hai _,”*
*®_ Tirmizi – 2/ 66 _,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ Tashreeh _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○✧ Qayamat Ke Din Aap Sallallahu Alaihivasallam, Digar Ambiya Kiraam Alaihissalam Aur Mala’ika ka Shafa’at karna bar haq hai aur iske bare mai bahut si rivayaat waarid Hui Hai’n, Aur ye Shafa’at kai Qism ki hongi –*
*○┅✧1-Awwal Shafa’ate Kubraa– Ye Aap Sallallahu Alaihivasallam Ke Saath makhsoos Hai k Mehshar Ke Din ki Holnakiyo Aur Hisaab v Kitaab ke band hone ki vajah se Ahle Mahshar is qadar Pareshan honge k log ye aarzu karenge k Hisaab v Kitaab khul Jaye chahe unhe dozakh mai hi bhej diya Jaye , Us Waqt Haq Ta’ala Shanhu Ahle imaan Ke Dil mai ye baat daalenge k Kisi barguzida hasti se is bandish ko khulwane ki Sifarish ki Jaye , Chunache baari baari Ambiya Alaihissalatu wassalam ki khidmat mai haazir honge,*
*"✪_ Aur ye Sab Hazraat Jalaale ilaahi Ke Rob se is per amaada nahi ho'nge, Bil Askhir Sayyadul Mursaleen v Khatimul Nabiyyeen Sallallahu Alaihivasallam Ki khidmat mai Shafa’at ki darkhwast karenge, Aap Sallallahu Alaihivasallam is darkhwast ko qubool farma Kar Baargahe ilaahi mai sajdah Rez honge, Taveel sajde Ke baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Shafa’at ka Hukm Hoga Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shafa’at se Hisaab v Kitaab Shuru ho jayega, Yahi wo "Maqame Mehmood" Hai Jiska Qur’an e Kareem mai Aap Sallallahu Alaihivasallam se Waada kiya Gaya Hai , Chunki ye Shafa’at tamaam Ahle Mahshar Ke Haq mai hogi, isliye tamaam Avvaleen v Akhireen is per Aapki madah v Sana karenge,*
*✪_ 2- Aap Sallallahu Alaihivasallam Apni Ummat Ke Bahut se Logo ko bager Hisaab v Kitaab Ke Jannat mai Jane ki Shafa’at farmayenge, Jiska bayan is Hadees Ke Askhir mai Hai aur Baaz Akabir ke nazdeek ye Shafa’at bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam Ke Saath makhsoos Hai,*
*○✧3- Bahut se Ahle Jannat Ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shafa’at se unke darje se badh Kar maqamaate Aaliya Aur darjaate Rafiya ata kiye jayenge,*
*○✧ 4- Bahut se Log jinki Neki Aur Badi ka palla masawi hoga ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shafa’at se Jannat mai dakhil Kiye jayenge,*
*○✧ 5- Bahut se Log Jo Apne A’amaal Ke lihaaz se Jahannam Ke mustahiq honge unko Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shafa’at se maaf Kar diya jayega Aur Jannat mai dakhil Kar diya jayega,*
*○✧ 6- Bahut se Gunahgaaro Jo Jahannam mai Ja chuke honge unke Haq mai Shafa’at Hogi aur unhe Jahannam se nikaal liya jayega, Ye Shafa’at tamaam Ambiya Kiraam, Mala’ika Azaam aur Sulha Ke darmiyan mushtarak Hai,*
*○✧7- Baaz Ahle dozakh Ke azaab mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shafa’at se takhfeef Hogi, Jesa k Abu Taalib Ke bare mai Ahdees mai Waarid Hai,*
*○✧ 8- Jannat Ka Darwaza Kholne Ke Liye bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam Shafa’at farmayenge Aur Sabse Pehle Aap hi Ke Liye khola jayega,*
*“_ in Shafa’ato Ke alawa Baaz Khaas A’amaal walo Ke Liye bhi Waada E Shafa’at Ahadees mai aaya Hai ,Magar ye mindarja bala soorto mai hi dakhil Hai,*
*®_Tafseel Ke Liye Dekhiye – Fatahul Baari , Kitabur Raqaaq ,Baab Safatul Jannah Wal Naar _,*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ _Hauz E Kausar Ka Bayan _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪"_ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulallah ﷺ ne farmaya k - Mere Hauz me Aasmaan Ke Sitaaro Ki Tadaad me Koze ho'nge _," ( Tirmizi-2/ 67)*
*"✪_ Hazrat Samrah Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulallah ﷺ ne farmaya k - Har Nabi Ke liye Ek Hauz hoga, aur Ambiya Alaihissalam Aapas me Fakhr karenge k unme se Kiske Hauz per Zyada Log aayenge, aur Mai'n Ummeed rakhta hu'n K Sabse Zyada Log mere Hauz per aayenge _," ( Tirmizi-2/67)*
*"✪_ Tashreeh :- Maidaan E Mehshar me Aan Hazrat ﷺ Ko Hauz E Kausar ata kiya jayega, Jiska Pani Doodh se Zyada Safed aur Shehad se Zyada Sheeri hoga, Jisko iska Ek ghoo'nt Naseeb hoga Wo Hamesha Ke Liye Sairaab ho jayega, Use Kabhi Pyaas nahi lagegi _,"*
▁▁▂▃︽▃▂▁▁
*⊙:➻ _Hauz E Kausar Ka Bayan _,*
┏───────────────────┯ ✿
*✪○✧Abu Salam Habshi Kehte Hai’n k Hazrat Umar bin Abdul Azeez Reh. ne mujhe bula bheja, Chuna'che Mujhe Daak ki Sawari Per Sawaar Kiya gaya, Mai’n unki Khidmat mai haazir hua to arz kiya :- Amirul Momineen ! Daak ki Sawari Per Sawaar hona mere Liye Badi mashaqqat ka baa’is hua, Farmaya– Abu Salam ! Mera maqsad Aapko Mashaqqat me daalna nahi Tha Lekin mujhe ek Hadees Pahu'nchi Jo Hauze Kausar Ke bare mai Aap Hazrat Sobaan Raziyallahu Anhu se Rivayat Karte Hai’n, Mai’n Wo Hadees Aapse bil musafa sunna chahta Tha,*
*✪○_Abu Salam ne kaha k Maine Hazrat Sobaan Raziyallahu Anhu ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad Rivayat Karte hue suna k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- Mera hauz Adn se Amaan bilqa Tak Hai, iska Paani Doodh se zyada Safed Aur Shehad se zyada Sheeri Hai, iske koze Aasmaan Ke Sitaaro se zyada Tadaad me Hai’n, Jo Shakhs isse ek ghoo'nt pi Lega uske baad use Kabhi pyaas nahi lagegi_,"*
*✪○_Sabse Pehle Jo log mere Hauz per aayenge wo Fuqra Muhajireen honge, Jinke Sar Ke Baal bikhre hue Aur Kapde mele kuchele Hai’n, Jo Naazo Ni’amat mai Pali Hui Aurto’n se Nikaah nahi Karte Aur Jinke Liye gharo Ke darwaze nahi khole Jate ( Yani unhe gharo mai aane ki ijazat nahi milti ),*
*○✧ Hazrat Umar bin Abdul Azeez Reh. ne farmaya- Lekin Mai'ne to Naaz parwardah Aurto’n se Nikaah kiya Hai Aur mere Liye gharo Ke darwaze bhi khole Jate Hai’n, Maine Abdul Malik bin Marwaan Khalifa ki beti Shehzadi Fatima se Nikaah Kar rakha Hai, Mai’n ahad karta hu’n k jab Tak Baal Paragandah na ho Jaye'n Sar nahi dhoya karunga ,Aur Jab Tak Kapde mele kuchele na ho Jaye Kapde Saaf nahi kiya karunga _,”*
*®_ Tirmizi -2/67,*
*✪_ Hazrat Abuzar Raziyallahu Anhu Farmate hai'n k Maine arz kiya ya Rasulallah ﷺ! Hauze Kausar ke Kozo ki Tadaad kitni hogi ?*
*✪"_Farmaya - us zaat ki qasam jiske qabze me meri jaan hai ! K uske Jaam isse zyada tadaad me hai'n Jis qadar k Tareek aur Saaf Raat me Aasmaan per Sitaare Namudaar hote hai'n, Ye jannat ke jaam ho'nge, Jo Shakhs inse pi lega muddatul umr kabhi usko pyaas nahi lagegi, Hauze Kausar ka Arz itna hai jitni k Amaan se ilya tak ke darmiyan Musafat hai, uska pani doodh se zyada safed aur Shehad se Zyada Sheeri hai _,"*
*✪"_ Tashreeh :- Hauze Kausar ke Tol v Arz ke bare me Ahadees Sharifa me mukhtalif Tabeere aayi hai'n, unse maqsood uske tol v arz ki kasrat ko bayan karna hai, Tahdeed ( Had baa'ndhna ) maqsood nahi _,"*
*"_ Alhamdulillah Post Mukammal Hui _,"*
*🗂️_ Jab Aa'nkh Khulegi _142,(Hazrat Yusuf Ludhiyanvi Shaheed Reh.)*
•┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
▏✍🏻 *Haqq Ka Daayi* ▏. http://www.haqqkadaayi.com
👆🏻👆🏻 *Visit for Daily updates*
https://chat.whatsapp.com/L6o3tUyfIBS9yQS99CdvLY
*👆What's app Group Join Karne Ke Liye Link per Click Kariye,*
*Telegram_ Per Link Se Join Kijiye👇🏻* https://t.me/haqqKaDaayi
*Subscribe Our YouTube Channel👇🏻,*
https://www.youtube.com/c/HaqqKaDaayi01
⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋
⚵🎗✨🎗⚵
Post a Comment