0
⚂⚂⚂.
        ▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁
     ✮┣ l ﺑِﺴْـــﻢِﷲِﺍﻟـﺮَّﺣـْﻤـَﻦِﺍلرَّﺣـِﻴﻢ ┫✮
    ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙
   *■ UMMAHATUL MOMINEEN ■*
  *⚂ HAZRAT UMME SALMA RAZ.⚂* 
  ⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙══⊙                    *★_ Aapka naam Hind tha, Umme Salma Aapki kunniyat hai, Aapka Talluq Quresh ke khandan Banu Makhzoom se tha, Aapke Walid Abu Umayya Makka Mukarrama ke bahut bade Sakhi Aadmi they, Taajir they aur bahut Daulatmand they, Is lihaaz se Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ne bahut khush haal gharane me Parwarish payi thi,*

*★_ Aapka pehla Nikah Abdullah bin Abdul Asad se hua, Wo Abu Salma ke naam se Mash'hoor they, Aap ﷺ ke Raza'i bhai bhi they, inki Walda ka naam Barah binte Abdul Muttalib tha, is lihaaz se wo rishte me Aapke Foofi zaad bhai bhi they, Abu Salma Raziyallahu Anhu se Aapke Yaha'n 4 bachche paida hue,*

*★_ Aap islam ki ibteda hi me Apne shohar ke saath islam le aayi thi'n, Goya dono miya Bivi sabse pahle islam lane walo me shamil hai'n, Dono ne Habsha ki dono Hijrate ki, balki in dono ne sabse pahle Habsha ki taraf hijrat ki thi, Kuchh arsa Habsha me guzaar kar dono Miya Bivi waapas Makka aa gaye, Waha'n se Nabi Kareem ﷺ ki ijazat se madina Munavvara ki taraf hijrat ki,*

*★_ Abu Salma Raziyallahu Anhu jab Habsha se Makka pahunche to Qureshe Makka ne Aap per zulm shuru kar diya, Unke zulm se tang aa kar Aapne Madina Munavvara ki taraf hijrat ki, Aap Madina pahunche to wo Muharram ki 10 tareekh thi, Amru bin Auf ke khandan ne unhe apna mehman banaya aur Umme Salma Raziyallahu Anha Apne Shohar ke saath Hijrat nahi kar saki thi'n, Unhone baad me Hijrat ki,*     

[7/25, 6:07 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Abu Salma Raziyallahu Anhu apni Bivi Umme Salma Raziyallahu Anhu ko le kar Makka Muazzama se nikle, Taki Madina Munavvara ki taraf Hijrat kar sake'n, Lekin Umme Salma Raziyallahu Anha ke ghar wale unke raaste me aa gaye aur bole :- Tum akele madina Munavvara ja sakte ho, Hamari Beti ko saath nahi le ja sakte _,"*

*★_ Ye log Umme Salma Raziyallahu Anha ko zabardasti waapas le gaye, is tarah Abu Salma Raziyallahu Anhu ne akele Hijrat ki, Umme Salma Raziyallahu Anha ki goad me unka doodh peeta bachcha Salma tha, Abu Salma Raziyallahu Anhu ke ghar wale Apne Bachche ko Umme Salma Raziyallahu Anha se chheen kar le gaye, Ab ek taraf wo Shohar se juda kar di gayi'n, to doosri taraf Apne Bachche se mehroom kar di gayi'n, Un per to Goya Musibato ke pahaad toot pade, Ghar se bahar Sehra me nikal jaati aur roya karti'n, Ka'i din roti rahi'n, fir ek shakhs ko un per taras aaya, Usne logo ko jama kiya aur unse kaha :- Tum is gareeb per kyu zulm karte ho, iska bachcha ise de do aur ise Madina Apne Shohar ke paas jane do _,"*

*★_ Aakhir sab logo ne ye baat maan li, ab Ye'n Apne Bachche ko le kar oun't per Sawaar hui aur Madina ki taraf chal padi, Saath koi mard nahi tha, bilkul tanha thi'n, Tan'iym ke muqaam per pahunchi to Unhe Hazrat Usman bin Talha Raziyallahu Anhu mile, Ye us waqt tak Musalman nahi hue they, Khana Kaaba ke chaabi bardaar they, Inhone Umme Salma Raziyallahu Anha ko pehchan liya, Kyunki unke Khawind Abu Salma Raziyallahu Anhu ke saath inke dostana Talluqaat they, Inhone puchha :- Kaha'n Ka iraada hai ? Umme Salma boli'n :- Madina Munavvara ka, Unhone puchha :- Koi saath hai ? Unhone jawab diya :- Allah saath hai ya ye Bachcha _,"*

*★_ Is per Hazrat Usman bin Talha Raziyallahu Anhu ne kaha :- Ye nahi ho sakta, Tum tanha nahi ja Sakti, Ye keh kar oun't ki muhaar pakad li aur Madina Munavvara ki taraf rawana ho gaye, Umme Salma Raziyallahu Anha bayan karti hai'n k raaste me kahi'n Rafa Haajat vagera ke liye theharna padta to Usman oun't ko bitha kar door kisi darakht ki oat me chale jate, Tab Mai'n niche utarti, rawangi ka waqt hota to Ount per Kajawa rakh kar fir door chale jate aur mujhse kehte - Sawaar ho jao, Aap farmati hai'n :- Maine poori Zindgi me itna shareef insaan nahi dekha _," Mukhtasar ye k Mukhtalif manzilo per qayaam karte hum Madina pahunche, Jab Quba ki aabadi per nazar padi to bole :- Ab tum Apne Shohar ke paas chali jao, Wo yahi'n thehre hue hain _,"*

*★_ Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha udhar rawana ho gayi'n aur ye waapas Makka ki taraf rawana hue, Quba ke logo ne jab Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ko dekha to unse puchha :- Aap kon hai'n aur Kaha'n se aayi hai'n ? Is per Unhone bataya - Mai'n Umme Salma hu'n Abi Umayya ki beti _," Abi Umayya Chu'nki bahut Mash'hoor Aadmi they, bahut Daulat mand they, Bahut Sakhi they, isliye logo ko Yaqeen na aaya k itne bade baap ki beti yu'n Akele Safar kar ke Makka se Madina aayi hai'n, us zamane me Shurfa ki Khawateen is tarah bahar nahi nikla karti thi'n, Bade log Safar me kisi ko saath zaroor bheja karte they aur uska tamaam kharcha bhi ada karte they, Jabki Sayyada Umme Salma tanha Aayi thi'n, isliye log hairaan they, Kaafi din baad unhe Yaqeen aaya aur jab sabko maloom ho gaya k ye kis ki beti hai'n to log unhe qadar ki nigaah se dekhne lage _,"*
[7/26, 12:04 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ab dono miya Bivi Apne Bachche ke saath khush v Khurram Zindgi basar karne lage, 2 Hijri me Gazwa Badar pesh aaya, Abu Salma Raziyallahu Anhu ne is Gazwe me bharpoor hissa liya, Fir 3 Hijri me Gazwa Uhad pesh aaya, is Gazwe me Abu Salma Raziyallahu Anhu ke bazu me ek teer laga, Usse Aap ek maah zere ilaaj rahe, Ek maah baad zakhm bhar gaya lekin uska zehar andar failta chala gaya,*

*"★_ Unhi dino unhe ek muhim per bheja gaya, Musalmano ke khilaf Kuchh log Qutan Pahaad ke aas paas jama ho rahe they, Aap ﷺ ne ye ittela pa kar Hazrat Abu Salma Raziyallahu Anhu ko dedh so Aadmi de kar rawana farmaya, Aapne unhe hukm diya :- Rawana ho jao ! Yaha'n tak k Banu Asad ki sar Zameen me pahunch kar unka Shiraaja bikher do, Isse pehle k wo waha'n jama ho kar ek taaqat ban jaye _,"*

*★_ Sayyadna Abu Salma Raziyallahu Anhu is muhim se kamyaab lote, Aapne na sirf dushman ko muntshir kar diya balki unke oun't aur bhed bakriya'n badi tadaad me unse chheen laye, is muhim ke silsile me Aap 39 Din Madina Tayyaba se bahar rahe, Jab Aap Waapas aaye to purana zakhm fir se hara ho gaya aur Aakhir ek maah bimaar reh kar Aap inteqal kar gaye, Jab Aap per Naza ki haalat taari thi to us waqt Aap ﷺ tashreef le aaye, idhar Aap ﷺ andar dakhil hue, udhar Abu Salma Raziyallahu Anhu ki rooh parwaz kar gayi, Aap ﷺ ne Apne daste mubarak se unki dono Aankhe band kar di aur farmaya :- insaan ki rooh jis waqt uthayi jati hai to uski dono Aankhe use dekhne ke liye khuli reh jati hai _,"*

*★_ Us waqt Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ne ye Alfaaz kahe :- Haay ! Pardesh me kesi maut aayi _," Rehmate Aalam ﷺ ne farmaya :- Sabr karo, inki magfirat ki dua maango aur kaho- Ey Allah inse behtar ata kar _," iske baad Aap ﷺ Abu Salma Raziyallahu Anhu ki laash ke paas aaye, Aap ﷺ ne unki namaze Janaza padhayi _,*
[7/26, 5:02 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Hazrat Abu Salma Raziyallahu Anhu ki wafaat ke baad Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne Umme Salma Raziyallahu Anha ko nikah ka paigaam diya, Aapne inkar kar diya, iske baad Sayyadna Umar Raziyallahu Anhu Aap ﷺ ka paigaam le kar aaye, Aapne Qubool farmaya ,*

*★_ Umme Salma Raziyallahu Anha kaha karti thi :- Mai'n Socha karti thi k bhala Abu Salma se behtar kon Shohar ho sakta hai, jab Aap ﷺ ki taraf se nikah ka paigaam mila to us waqt maine jaan liya k Allah Ta'ala ne mujhe unse behtar Shohar ata farmaya hai _,"*

*★_ Aan Hazrat ﷺ se umme Salma Raziyallahu Anha ka nikah Shawwal 4 Hijri ki Aakhri Tareekho me hua, Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha Sarkare do Aalam ﷺ ke araam ka bahut khayal rakhti thi'n, Aapke ek gulam Safina Raziyallahu Anhu they, Aapne unhe is shart per Azaad kar diya tha k jab tak Aan Hazrat ﷺ zinda hai'n Aapki khidmat karna tumhare liye laazim hai _,"*

*★_ Nikah ke baad se Aan Hazrat ﷺ ki wafaat tak Aap saath rahi'n, Safar me bhi Aap aksar saath hoti'n, 5 Hijri me parde ki aayat naazil hui, isse pehle Azwaaj Mutahraat baaz door ke Rishtedaro ke saamne aa jaya karti thi'n, Ab khaas khaas Rishtedaro ke alawa har ek se parde ka hukm diya gaya _,"*

*★_ is bare me ek rivayat ye hai k Hazrat Abdullah bin Umme Maktoom Raziyallahu Anhu ek Nabina Sahabi they, Nabina hone ki vajah se Azwaaj Mutahraat ke Hujre me aa jate they, is Aayat ke nujool ke baad jab wo aaye to us waqt Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha aur Hazrat Maimoona Raziyallahu Anha waha'n mojood thi'n, Aap ﷺ ne farmaya :- inse parda karo _," Unhone kaha :- Allah ke Rasool ! Ye to Nabina hai'n _," Aapne irshad farmaya :- Ye to Nabina hai'n lekin tum to Nabina nahi ho, tum to unhe dekh rahi ho _,"*
[7/29, 6:29 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ 6 Hijri ko Aap ﷺ Umra ke liye rawana hue, Aap ﷺ ke saath taqriban 1400 Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum they, Aapne Hudebiya ke muqaam per padaav dala, Wahi'n Makka ke mushrik aa gaye, Yaha'n unse muahida hua, is maamle ko Suleh Hudebiya kaha gaya, is Mu'ahide ki shara'it zaahir me Musalamano ke liye bahut Sakht thi, is vajah musalman bahut Gamgeen they, Mu'ahide ki ru se ab sab logo ko Umra kiye bager waapas Lorna tha, isliye Aap ﷺ ne qurbani karne aur sar mundane ka hukm farmaya _,*

*★_ Musalaman is qadar gamzada they k kisi ne bhi esa na kiya, is per Aap ﷺ ko bahut ranj mehsoos hua aur Aap apne khaime me Tashreef laye, Waha'n umme Salma Raziyallahu Anha mojood thi'n, Aap ﷺ ne ye baat unse farmayi, is per Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ne arz kiya :-*.
*"_ Musalmano ko ye Suleh bahut nagawaar guzri hai, isliye wo bahut ranjeeda hai'n aur yahi vajah hai k Unhone Aapke hukm ki tameel nahi ki, Aap kisi se kuchh na kahe'n aur bahar nikal kar qurbani kar ke sar mundwa le'n, Ye sab khud ba khud Aapki pervi karenge_,"*

*★_ Aap ﷺ ne unke mashware per Amal kiya, Jo'nhi Aapne qurbani ki, Sabne qurbani shuru kar di aur sar mundwa kar Ahraam utaar diye, us waqt hujoom ka ye aalam tha k ek doosre per toota padta tha, Ek doosre ki Hajamat banane ki khidmat sar anjaam de rahe they _, (Bukhari )*

*★_ Is Waqie se maloom hota hai k Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha bahut Behatreen mashwara dene wali thi'n, Saath hi ye andaza hota hai k logo ki fitrat ka andaza lagane me bhi unhe kamaal haasil tha ,*

*★_ Aap Gazwa Khaibar me bhi shareeq thi'n, Khaibar ke qile ke Sardaar Murhab ke Daa'nto per jab Talwar lagi to Aap Raziyallahu Anha ne uski Awaaz suni thi _,"*
[7/30, 5:31 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aan Hazrat ﷺ ke Aakhri Ayyam me Sayyada Salma Raziyallahu Anha barabar Aap se milne ke liye aati rahi'n, Ek Din Huzoor ﷺ ki Tabiyat zyada nasaaz ho gayi to Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha Sadme se cheekh padi'n, Aap ﷺ ne unse farmya :- Ye Musalamano ka Tareeqa nahi _,"*

*★_ Ek Roz marz me zyada Shiddat paida ho gayi, Azwaaj Mutahraat ne dava pilane ki koshish ki, Aap us waqt dava pina nahi chahte they, Lihaza pine se inkaar kar diya, Thodi der baad Aap per gashi ki haalat taari ho gayi, Umme Salma Raziyallahu Anha aur Sayyada Umme Habiba Raziyallahu Anha ne gashi ki haalat me dava Aapke moo'nh me daali _,*

*★_ Bimaari ke unhi dino me ek din Sayyada Salma aur Sayyada Umme Habiba Raziyallahu Anhuma ne Habsha ke girjo me Tasaveer ka zikr kiya k Umme Habiba Raziyallahu Anha Habsha se ho kar aayi thi'n, Aap ﷺ ne ye Zikr sun kar farmaya :-*
*"_ Allah Yahood aur Nasara per laanat kare, Un logo me jab koi mar jata to wo uski qabr ko ibaadat gaah bana liya karte they aur uska But bana kar usme khada kar dete they, Qayamat ke Din ye log Allah Ta'ala ke nazdeek badtareen Makhlooq ho'nge _," ( Bukhari )*

*★_ Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ka inteqal 59 Hijri me Hazrat Ameer Muawiya Raziyallahu Anhu ke daur me hua, Ek Rivayat ke mutabiq 60 Hijri me Yazeed ke zamane me hua, Wafaat ke waqt Sayyada ki Umr 84 saal thi, Sayyadna Abu Huraira Raziyallahu Anhu ne Namaze Janaza padhayi, Aapko Jannatul Baqi me dafan kiya gaya_,"*
*"_ Aapke Yaha'n Pehle Shohar se jo Aulaad hui'n, Unke naam Salma, Umar, Durah aur Zainab hai'n, Salma sabse bade they, In sabki Parwarish Aan Hazrat ﷺ ne farmayi _,"*
[7/31, 11:52 AM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Aap Raziyallahu Anha bahut Aalima Faazila thi'n, Aapse bahut si Hadeese rivayat hai'n, Sahaba Kiraam unse Masa'il puchha karte they, Bahut se Tan'iyn ne bhi Aapse ilm Haasil kiya, Aap Qur'an bahut Achha padhti thi'n aur Aap Nabi Kareem ﷺ ke lehje me padha karti thi'n, Ek martaba kisi ne puchha :- Huzoor ﷺ kis tarah qiraat kiya karte they? Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ne jawab diya :- "_ Ek Ek Aayat alag alag kar ke padhte they _," fir khud isi tarah padh kar sunaya _,"*

*★_ Hadees me bhi Aapka khaas muqaam tha, Aapse 387 Ahadees rivayat ki gayi hai'n, Aapko Ahadees sunne ka bahut shoq tha, Ek Roz baal gundhwa rahi thi'n k Aan Hazrat ﷺ khutba dene ke liye mimbar per Tashreef le aaye, Aapki zuban mubarak se abhi sirf itna nikla tha :- Ey Logo'n ! Us waqt Aap Raziyallahu Anha ne Baal goondhne wali se farmaya :- Baal baandh do _," Usne kaha :- itni kya jaldi hai ? Aapne farmaya :- Kya hum Logo'n me shamil nahi _,"*
*"_ iske baad khud baal baandh kar khadi ho gayi'n aur khade ho kar poora khutba suna _,"*

*★_Aap Raziyallahu Anha har waqt Ajro Sawab ki talash me rehti thi'n, Ek Roz Huzoor Nabi Kareem ﷺ se puchha :- Allah ke Rasool ! Abu Salma se mere jo bachche hai'n, Mai'n un per kharch karti hu'n aur unki Achchhi tarah Parwarish karti hu'n, kya mujhe unki Parwarish per sawab milega ? Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Haa'n ! Jo kuchh tu un per kharch karegi tujhe us per Ajr milega _,"*

*★_ Ek Roz Huzoor Nabi Kareem ﷺ Umme Salma Raziyallahu Anha ke ghar per they, Aapne Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko ek taang per aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko doosri taang per aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ko darmiyan me bithaya hua tha, Ese me Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Ey ghar walo ! Tum per Allah ki khaas rehmat aur Barkat rehti hai'n, Beshak Allah Tareef ke laa'iq aur badi shan wala hai _,"*

*★_ Umme Salma Raziyallahu Anha ye sun kar ro padi, Aap ﷺ ne puchha :- Kya baat hai, Tum kyu ro padi ? Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ne arz kiya :- Allah ke Rasool ! Aapne inke liye ye alfaz farmaye, mujhe aur meri beti ko chhod diya _," is per Aap ﷺ ne irshad farmaya :- Tum aur Tumhari Beti dono Ahle Bayt me se ho _," ( Al Mu'ajam Al Kabeer - 24/ 281)*
[8/1, 4:49 PM] Haqq Ka Daayi Official: *★_ Ek Roz Umme Salma Raziyallahu Anha ke Bhatije ne do raka'at padhi, Sajde ki jagah gubaar alood thi, Wo Apni Peshani se gard jhaadne lage, Umme Salma Raziyallahu Anha ne unse farmya :: esa na karo, Ye fayl Huzoor Nabi Kareem ﷺ ke Amal ke khilaf hai _,"*
*"_ Matlab ye tha k haatho ko harkat na do, Namaz me Sukoon Akhtyar karo _,*

*★_ Aap Raziyallahu Anha bahut Fayyaz thi'n, Ek Roz chand Haajat mand Aapke ghar aaye, Unme Aurte'n bhi thi, Unhone gidgida kar sawal kiya, Us waqt waha'n Sayyada Fatima Raziyallahu Anha bhi mojood thi'n, Aapne un fiqra ko daa'nta, is per Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha ne farmaya :: Hume iska hukm nahi _,"*
*"_ Fir khadima se farmaya :- inhe kuchh de kar rukhsat karo, ghar me kuchh na ho to ek do chhuware hi de kar rukhsat karo_,"*

*★_ Aapko Nabi Kareem ﷺ se bahut Muhabbat thi, Aapki wafaat ke baad Aapke Baal Tabarruk ke tor par rakh liye they, Logo'n ko unki ziyarat karati thi'n _," ( Musnad Ahmad - 6/301)*

*★_ Ek Roz Aap ﷺ Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha ke ghar Tashreef farma they, Ese me Hazrat Jibrai'l Alaihissallam ek Sahabi Dahiya Kalbi Raziyallahu Anhu ki soorat me aaye, Wo Aapse baate karte rahe, Jab wo chale gaye to Aapne Sayyada Umme Salma Raziyallahu Anha se puchha :- Jaanti ho ! Ye kon they ? Umme Salma Raziyallahu Anha ne jawab diya :- Ye Dahiya they _,"*
*"_ Yani un Sahabi ka naam liya, lekin jab Aap ﷺ ne Logo'n se is waqie ka zikr kiya tab unhe pata chala, Wo Hazrat Jibrai'l they, matlab ye k Aapke ghar bhi Jibrai'l Ameen aaye they_,*

*★_ Nabi Kareem ﷺ ko Aapse bahut Muhabbat thi, Allah ki Aap per Karodo rehmate naazil ho'n _,"*    

*📓Ummahatul Momineen, Qadam Ba Qadam_ 123,* ┵━━━━━━❀━━━━━━━━━━━━┵
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                    ✍
         *❥ Haqq Ka Daayi ❥* http://www.haqqkadaayi.com/
*👆🏻Visit for All updates,*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
https://wa.me/message/YZZSDM5VFJ6IN1
*👆🏻 What's app Join Karne Ke Liye Link per Click Kar Ke Join likhiye _,*
https://t.me/haqqKaDaayi
*👆🏻Telegram Per Join Link_,*
https://groups.bip.ai/share/YtmpJwGnf7Bt25nr1VqSkyWDKZDcFtXF
*👆🏻Bip per Join Link_,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
⚂⚂⚂

Post a Comment

 
Top