1
✭﷽✭

         *✭ KHILAFAT E RASHIDA.✭* 
             *✿_ खिलाफते राशिदा _✿*
            ▪•═════••════•▪                  
*┱✿_ "_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Bayt _,"*

★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki shahadat ke baad teen Din tak Khilafat ka mansab khali raha, is dauran logo ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se darkhwast ki k Aap Khilafat ka mansab Qubool Kare'n, Logo ne sakht israar kiya, Lekin Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne ye bhaari bojh uthane se inkaar kar diya, Aakhirkaar Muhajireen aur Ansar ka israar had se badh gaya, Tab Aapne Majboor ho kar ye bojh utha liya, Chunache 21 Zilhijja 35 Hijri ke Din Masjide Nabvi me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke daste mubarak per Bayt hui,

★_ Khalifa banne ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko sabse pehle Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Qaatilo ka pata chalana aur unhe saza dena tha, Lekin us waqt mushkil ye thi k Shahadat ke waqt sirf Unki Zoja Muhatrama Hazrat Naa'ila mojood thi'n aur Wo Qaatilo ko pehchanti nahi thi, 

★_ Yaha'n ye baat samajh leni chahiye k Kitaabo me Qaatilo ke naam likhe hai'n lekin Gawahi ki jo Qanooni haisiyat hai usse wo Mujrim Saabit nahi hote they, Matlab ye k Qaatilo ke khilaaf gawaah koi nahi tha, isliye Hazrat Ali Raziyallahu Anhu unhe Saza dene ke maamle me mazoor they, Unke khilaf koi Kaarwahi na kar sake,

★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ka khayal tha k ye jo itna bada Saanha hua hai Ye Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Governoro aur Doosre Ohdedaaro ki be ahatyati se hua hai, Chunache Khalifa banne ke baad Aapne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke daur ke Aamilo ko Mazool kar diya, Usman bin Haneef ko Basra ka governor muqarrar farmaya, Ammar bin Hassan ko Koofe ki Hukumat supurd ki, Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu ko Yaman ka Ameer muqarrar farmaya aur Suhel bin Haneef ko Shaam Ka governori ka farman de kar rawana kiya,

★_ Suhel Bin Haneef Tabook ke Muqaam tak pahunche they k Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke Fojiyo ne unhe rok liya aur Madina waapas jane per majboor kiya, Ye khabar sun kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko Andaza ho gaya k unki khilafat ladayi jhagdo se khali nahi hai 

★_ Ab Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ko likha :- Muhajireen aur Ansar ne mere Haath per Bayt kar li hai, Un sabne ittefaq kar ke mujhe Khalifa chun liya hai, isliye Aap bhi mujhe Khalifa maan le'n _,"
Iske Jawab me Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne Apne Qaasid Qabsa Absi ke zariye Zubani paigam bheja, Unhone Aa kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se mulaqaat ki aur kaha - Shaam me 60 Hazaar log ese hai'n Jo Hazrat Usman Gani Raziyallahu Anhu ki khoon Alood Kameez ko dekh kar rote hai'n _,"

★_ Ye Sun kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya - Kya wo log mujhse Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke khoon ka badla talab karte hai'n , Ey Allah ! Mai'n Usman ke khoon se bari hu'n, Usman ke Qaatilo se Allah Samjhe _," 
Ye keh kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Qabsa ko waapas rawana kar diya, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke is jawab se unhe andaza ho gaya tha k Wo Bayt nahi karenge ,

★_ Doosri taraf Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha Hajj se faarig ho kar Madina Munavvara ke liye rawana hui hi thi'n k Raaste me unke ek Azeez mil gaye, Unse Madina Munavvara ke halaat poochhe to unhone bataya k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko Shaheed kar diya gaya hai aur Hazrat Ali Khalifa muqarrar ho gaye hai'n aur Waha'n Fitne ka bazaar garam hai _,"

★_ Aapne ye khabar suni to Makka waapas lot gayi'n , Logo ne waapsi ki vajah poochhi to Farmaya - Usman Mazloom Shaheed kar diye gaye, Ye fitna dabta nazar nahi aa raha, isliye tum log Mazloom Khalifa ka khoon Raayga na jane do, Qaatilo se khoon ka hisaab le kar islam ki izzat bacha'o _,"

★_ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Shahadat ke baad Madina Munavvara me Fitna Fasaad ke Asaar dekh kar Hazrat Talha aur Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu bhi Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se ijazat le kar Makka aa gaye, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne unse bhi waha'n ke halaat poochhe, Unhone ne bhi wohi halaat bayan kiye , Is tarah Tamaam baato ki tasdeeq ho gayi,

★_ Idhar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Apni poori Koshish ke bavjood Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Qaatilo ka pata lagane me kaamyaab nahi ho rahe they, Yahi Wo halaat they Jinme Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne bhi Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Khoon ke badle ka mutalba kiya, Makka me apne ird gird Mojood logo ke darmiyaan Aapne Elaan karaya - Hum Usman ke khoon ka badla lenge _,"

★_ Us waqt Makka Muazzama ke Haakim Abdullah bin Aamir Hazmi they, Unhone aur Unke Saath Marwaan bin Hakam aur Saied bin Aas vagera ne nihayat purjosh andaz me Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ka saath dene ka elaan kiya, Ye Hazraat Banu Umayya  se they, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu bhi Banu Umayya se they, Is tarah Banu Umayya ke log unke gird jama hone lage aur ek Ba Qaa'da tehreek ban gayi, In Hazraat ne Makka se Basra Jane ka program banaya taki waha'n ke logo ko saath milaya ja sake,

★_ Un Hazraat ki in Taiyariyo ki Khabre Hazrat Ali Raziyallahu Anhu tak pahunchi to Aapne bhi Basra ka rukh kiya taki Un Logo se pehle waha'n pahunch kar Baitul Maal ki hifazat Kare'n, aur iraaq ke logo ko Apni Wafadaari ke liye taiyaar kar sake'n , Madina Munavvara ke logo ko jab Aapke is iraade ki khabar hui to Aapki khidmat me Haazir hue, Unme Hazrat Uqba bin Aamir Raziyallahu Anhu bhi mojood they, Ye Bahut buland Paaya Sahabi they, Gazwa Badar me Shareek reh chuke they, Unhone Madina Munavvara ke Saathiyo ki taraf se arz kiya -

"_ Aapka Madina Munavvara chhod kar jana kisi tarah bhi munasib nahi , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke Zamane me Kitni badi badi Junge pesh aayi lekin unhone kabhi Madina Munavvara se bahar Qadam nahi rakha, Ye theek hai k is waqt Hazrat Khaalid , Abu Ubaida, Saad bin Waqaas aur Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhum jese Sahaba Kiraam ne Shaam aur iraan ko Fateh kar dala tha lekin is waqt bhi Jaa'nbaazo ki kami nahi, Lihaza Aap yahi'n rahe'n _,"

★_ Unki is baat ke Jawab me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya :- Iraaq is waqt Musalmano ki bahut badi Nav Aabadi hai, Waha'n ke Baitul Maal bhi Maalo Zar se pur hai'n, isliye mera waha'n mojood rehna zaroori hai _,"

★_ Iske baad Aapne Madina Munavvara me Aam elaan kara diya k log Iraaq ke Safar ke liye taiyaar ho jaye'n , Baaz bade Sahaba ke alawa baqi log Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke saath jane ke liye taiyaar ho gaye, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu unhe liye Madina Munavvara se nikle, Abhi Ziqaar tak Pahunche they k khabar mili k Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha, Hazrat Talha , Hazrat Zuber aur Makka ke doosre logo ke saath Basra Pahunch gayi hai'n, Qabila Banu Saad ke alawa waha'n ke Tamaam logo ne unke Haath per Bayt kar li hai _,"

★_ Ye Sun kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu wahi'n ruk gaye, Aapne Hazrat Hasan aur Hazrat Ammar bin Yassir Raziyallahu Anhum ko Koofa rawana farmaya, taki waha'n ke logo ko Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Himayat per taiyaar Kare'n, Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ne Koofa pahunch kar waha'n ki Masjid me logo ke saamne Taqreer ki aur unhe Hazrat Ali ka Saath dene ke liye kaha ,

★_ Hajar Bin Adi Kundi Koofa ke bade Aadmi they, Bahut Ba Asar they, Unhone Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ki Taai'yd ki aur kaha - Logo ! Ameerul Momineen ne khud Apne Sahabzade ko bhej kar tumhe Dawat di hai, Is Dawat ko Qubool kar lo, aur Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ka saath de kar Fitne ki Aag ko bujha do, Mai'n bhi inke Saath hu'n _,"
Is tarah Hazrat Hasan aur Hajar Bin Adi Kundi ki taqreero se logo me Josh paida ho gaya, Unke gird Taqriban 9 Hazaar Musalman jama ho gaye, Ye unhe le kar rawana hue aur Ziqaar pahunch kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki fauj me Shamil ho gaye,

★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Ab Apni Fauj ko naye sire se tarteeb diya aur Basra ki taraf kooch Farmaya, Us waqt Basra ka haal ye tha k waha'n Teen giroh they, Ek gair Jaanib daar giroh tha, Yani na wo idhar tha na udhar, Doosra giroh Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ka Tarafdaar tha aur Teesra Hazrat Ayesha Siddiqa, Hazrat Zuber aur Hazrat Talha Raziyallahu Anhum vagera ka haami tha,

★_ Khana Jungi ki Tayyariyo ko dekh kar Pehle giroh ne bahut koshish ki k Musalman Aapas me na lade, Tamaam Nek niyat log yahi chahte they, Khud Hazrat Ali Raziyallahu Anhu, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha, Hazrat Talha Raziyallahu Anhu aur Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu bhi yahi chahte they k Jung na ho aur Aapas ke ye ikhtilafat door ho jaye'n_,"

 ╨─────────────────────❥

*"_ Junge Jamal _,"*

★_ Jab Dono Lashkar ek doosre ke nazdeek pahunch gaye to sab Nek logo ne Suleh per zor diya, Aakhir Suleh ki baat cheet shuru hui, Dono taraf ke logo ki ye Ain khwahish thi k Jung na ho, Aapas ke ikhtilafat baat cheet ke zariye Tay ho jaye'n, Suleh ki baat cheet jaari thi aur zabardast ummeed ho chali thi k tamaam mamlaat Tay ho jayenge, Suleh ho jayegi, K raat ho gayi aur Tay paya k Baqi baat cheet subeh ho jayegi , Chunache dono fareeq Apne Apne padaav me chale gaye, Sab Araam aur Chain ki neend so gaye,

★_ Ab hua ye k dono taraf kuchh ese log Shamil they jo chahte they k kisi qeemat per bhi Suleh na ho, Kyunki Suleh ho jane ki soorat me unki khayr nahi thi, aur Zaahir hai ye log Wahi Balwayi they Jinhone Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke ghar ko 40 din tak ghaire rakha tha aur unhi me se kuchh ne Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ko shaheed kiya tha, Ab zaahir hai Suleh hone ki soorat me wo pakde jate kyunki is tarah Sukoon ke saath Tehqiqaat karne ki mohlat mil jati aur unki nishan dehi ho jati, Fir zaahir hai unhe Qatl ke jurm me qatl kar diya jata, Wo bhala ye kese pasand kar sakte they, 

★_ Abdullah bin Saba ke log bhi dono taraf mojood they, Wo to they hi Saazishi log , Musalmano ko Aapas me ladana hi unka maqsad tha, Ese logo ne Raat ke waqt Achanak Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki fauj per Hamla kar diya, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha aur unke Saathi ye Samjhe k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Fauj ne unhe Dhoka diya hai, Bas is tarah dono Fareeqo me jung Shuru ho gayi, 

★_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Apne ou'nt per Sawaar hui'n taki Fauj ko rok sake , Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne bhi Apni Fauj ko rokne ke liye poora zor lagaya, lekin Jung to chhid gayi thi, Fir Jald na ruk saki, Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke Saathiyo ne unhe Ou'nt per Sawaar dekh kar khayal kiya k Aap Jung per Aamada hai'n, Lihaza aur zyada Josh v Kharos se ladne lage, Unki Fauj me Muhammad bin Talha Sawaaro ke Afsar they, Abdullah bin Zuber Paidal Fauj ke Afsar they aur Majmu'i tor per poori fauj ki qayadat Hazrat Talha Raziyallahu Anhu aur Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu kar rahe they,

 ★_ Jung ke Dauran Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Apna Ghoda aage badaya , Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu ko bula kar Farmaya :- Ey Abu Abdullah ! Tumhe Wo Din yaad hai Jab Rasulullah ﷺ ne tumse puchha tha .. Kya tum Ali ko Dost rakhte ho ..? To tumne arz kiya tha , Ey Allah ke Rasool ! Haa'n , Mai'n Ali ko Dost rakhta hu'n, Yaad karo us waqt tumse Huzoor ﷺ ne farmaya tha - Ek Din tum usse Na Haq ladoge _," *( Mustadrak Haakim - 3/ 1366)*

★_ Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu ne foran kaha - Haa'n ! Mujhe yaad aa gaya .., Ye keh kar Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu ladayi se alag ho gaye, Unhone Apne Bete Hazrat Abdullah bin Zuber se farmaya - Ey pyare Bete ! Ali ne mujhe esi baat yaad dila di hai k Jung ka Tamaam Josh khatm ho gaya hai, Beshak hum haq per nahi hai'n, Lihaza tum bhi Jung se baaz aa jao aur mere Saath chalo _,"
_ Hazrat Abdullah bin Zuber Raziyallahu Anhu ne arz kiya - Mai'n to maidane Jung se nahi hatunga _,"

★_ Is per Wo Akele hi Maidane Jung se nikal aaye aur Basra ki taraf chal Khade hue, Hazrat Talha Raziyallahu Anhu ne Hazrat Zuber Raziyallahu Anhu ko jate dekha to unka iraada bhi badal gaya aur wo bhi Maidane Jung se nikal aaye, Ese me unke paa'nv me ek Teer aa kar laga, Zakhmi haalat hi me ye Waha'n se nikal aaye, Taaham isi zakhm se Aapki Shahadat hui, 

★_ Us Moqe per Maidane Jung me Abdullah bin Saba ke Saathiyo ne Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki shan me gustakhi karne ki kai baar koshish ki lekin Aapke Saath jo Jaanisaar they wo unhe moonh tod jawab dete rahe, Wo log Aapko giraftaar karna chahte they, Lekin Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke Jaanisaar unke liye rukawat ban gaye aur unki ek na chalne di, Unki Laasho per Laashe gir rahi thi lekin wo Aapki hifazat se ek Qadam pichhe nahi hat rahe they, Unki Bahaduri ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko bhi hairatzada kar diya,

★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu is baat se pareshan they k Unki Jaanisaari ki vajah se Jung Tool pakadti ja rahi hai aur Fariqeen ka zyada nuqsaan ho raha hai, Yahi haalat rahi to na jane nuqsaan Kaha'n tak pahunche, Haalat ye thi k ek girta tha to Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke ou'nt ki nakel doosra pakad leta tha, Hazrat Abdullah bin Zuber ne ou'nt ki nakel pakdi, Wo zakhmi hue to Foran ek aur ne pakad li, Wo bhi zakhmi hue to ek aur ne pakad li, is tarah ek ke baad ek digar 70 Aadmiyon ne Apne Aapko qurban kar diya , ( Tareekh Tibri - 6/318, Mustadrak Haakim - 3/ 366)

★_ Ye haalat dekh kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne socha, Jab tak ou'nt ko bithaya nahi jayega, Us waqt tak khoon rezi nahi rukegi, isliye Aapke ishare per ek shakhs ne pichhe se ja kar ou'nt per vaar kiya, Ou'nt zakhmi ho kar Beth gaya, Ou'nt ke bethte hi Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ki fauj himmat haar gayi, Jung ka faisla Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke haq me ho gaya, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne us waqt Elaan farmaya - Bhaagne walo ka ta'qub na kiya jaye, Zakhmiyo per ghode na daudaye jaye'n aur Maale ganimat na loota jaye, Jo Hathiyar daal de unhe Aman hai _,"

★_ is Elaan ke baad Aap Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ke paas aaye aur unki Mizaaj Pursi ki, Unhe Chand din Basra me Araam v Aasa'ish se thehraya, Fir Unke Bhai Muhammad bin Abi Bakar ke saath Madina Munavvara bhej diya, Basra ki 40 Mo'azziz Aurte'n unke Saath gayi'n, Ek Manzil tak Apne Sahabzado ko saath bheja, Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne Rukhsat hote waqt Farmaya - Mere Bachcho ! Hamari Aapas ki Kashmkash sirf galat Fehmi ka Natija thi, Varna mujhme aur Ali me pehle koi jhagda nahi tha _,"
Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne is baat ki Taai'yd ki aur Farmaya - Ye'n Aan Hazrat ﷺ ki Harame Mohatram aur Hamari Maa'n hai'n, Inki Tazeem aur Toqeer zaruri hai _,"

★_ Is tarah Rajjab ki pehli Tareekh 36 Hijri ko Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Madina Munavvara ki taraf rawana hui'n, Chunki Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha is jung me ou'nt per Sawaar thi'n isliye ye jung " Junge Jamal " kehlayi _,

 ╨─────────────────────❥
: *★_ Jung E Siffeen _,*

★_ Basra me Chand Roz qayam karne ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Koofa ki taraf kooch kiya, 12 Rajjab 36 Hijri ko Shehar me dakhil hue, Koofa ke logo ne waha'n Waqai ek mahal me Aapki mehman nawazi ka samaan kar rakha tha, Lekin Aap Aakhir Zaahid they, Usme Theharne se inkaar kar diya aur irshad farmaya :- Hazrat Umar bin Khattab Raziyallahu Anhu ne in Aali Shaan Mahallaat ko hikarat ki nazar se dekha hai, Mujhe bhi inki zarurat nahi, Maidaan mere liye kaafi hai _,"

★_ Chunache Maidaan me qayam farmaya, Masjide Aazam me Do Raka'at namaz ada farmayi, Jume ke Roz Khutba diya, Usme logo ko parhezgari ki Hidayat farmayi, 
Is tarah Junge Jamal ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Madina Munavvara Chhod kar Koofa me mustaqil Riha'ish Akhtar farmayi aur Darul hukumat Hijaaz se Iraaq me muntaqil ho gaya, 

★_ Tareekh ki Kitaabo me iski bahut si vujuhaat aayi hai'n, Ek Vajah ye bayan ki gayi hai k Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Shahadat se Haram e Nabvi ki bahut toheen hui thi, Shayad Yahi vajah thi k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Siyasi Markaz ko tabdeel kar diya, Doosri Vajah ye bayan ki jati hai k us waqt Koofa me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Haami aur Tarafdaar badi tadaad me jama they, 

★_ Koofa me aane ke baad Aapne mulk ke nazam v nusq ki taraf tavajjo di, Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu ko Basra ka governor muqarrar kiya, isi tarah doosre ilaaqo per Apne Ameer muqarrar farmaye, Jazira Mosul per Astar Bakhi ko muqarrar kiya, Ye ilaqa Shaam ke saath tha, Astar ne aage bad kar Shaam ke kuchh ilaaqo per qabza kar liya , Lekin Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke Haamil Zahaak bin Qais ne uska muqabla kiya aur wo ilaaqe usse waapas le liye, Astar fir Mosul chala gaya, Taham unse Shaami Fojo se chhed chhad jaari rakhi,
: ★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu jaante they k Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu Aapki Khilafat ko Tasleem nahi karenge, Taham Aapne hujjat poori karne ki khatir unhe ek baar fir suleh ki dawat di, Is garz ke liye Aapne Zareer bin Abdullah Raziyallahu Anhu ko Qaasid bana kar bheja, Hazrat Zareer Raziyallahu Anhu Jis waqt Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ki khidmat me pahunche Waha'n us waqt Shaam ke bade bade Ameer jama they, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne pehle Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ka khat padha fir tamaam Haajreen ko padh kar sunaya,

★_ Khat ka Majmoon ye tha - Tum aur Tumhare Zere Asar Jis qadar Musalman hai'n Un sab per Meri Bayt laazim hai Kyunki Muhajireen aur Ansar ne ittefaq se khalifa chuna hai, isliye Jo Bayt se inkaar karega usse Jabran Bayt li jayegi, Pad Tum Muhajireen aur Ansar ki pervi karo yahi Sabse behtar tareeqa hai Varna Jung ke liye taiyar ho jao, Tumne Usman Raziyallahu Anhu ki shahadat ki Aad me Bayt se inkaar kiya hai, Agar Tum Usman Raziyallahu Anhu ke Qatilo se inteqam lene ke liye purjosh ho to meri ita'at Qubool karo, Uske baad Ba Zaabta is muqadme ko pesh karo, Mai'n Allah ki kitaab aur Sunnate Rasulullah ﷺ ke mutabiq faisla karunga _,"

★_ Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne is khat ke jawab me likha - Aap Hazraat Usman Raziyallahu Anhu ke Qatilo ko hamare Hawale kar de'n, Is soorat me Mai'n aur Tamaam Ahle Shaam khushi se Aapki Bayt kar lenge, Fazal v Kamaal ke lihaaz se Aap hi Khilafat ke Haqdaar hai'n_,"

★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne is khat ka jawab doosre Roz dene ka vaada farmaya, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ka khat Abu Muslim laye they, Wo Doosri Subeh Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki khidmat me haazir hue, Waha'n us waqt 10 Hazaar Muslah Aadmi mojood they, Abu Muslim ko dekhte hi Sab ek Awaaz ho kar bole - Hum Usman Ke Qaatil hai'n _,"
Hazrat Abu Muslim ko hairat hui, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne is moqe per Farmaya - Aap isi se Andaza laga le'n k Halaat Kya hai'n _,"
Iske baad Aapne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke naam khat likhwaya, Us Khat me likha tha - Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke qatl me meri koi shirkat nahi thi lihaza Aap Bayt kar le'n, Uske baad hum Qaatilo ke khilaf kaarwahi karenge _,"
[12/21, 12:33 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Suleh Ki Tamaam Koshishe Nakaam hui, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Aakhirkaar Shaam Ke Khilaf Lashkar Kashi ka faisla kiya, Aap taqriban 80 Hazaar ke lashkar ke saath Shaam ki taraf rawana hue, Yaha'n tak k Aap Dariya e Faraat ko aboor kar ke Shaam ki sarhad tak pahunche, 

★_ Us muqam per Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ki taraf se Abul Daour Sulmi muqarrar they, Unhone Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Har Avval daste ko roka, Dono Fojo me muqabla hua, Itne me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ka mazeed lashkar Waha'n pahunch gaya, Abul Daour ne mehsoos kar liya k unke paas itni fauj nahi k muqabla jaari rakh sake, Chunache Raat ki tareeki me Apni Fauj ko liye pichhe hat gaye aur Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu ko ittela di, Ye ittela milne per Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu bhi Apni Fauj le kar rawana hue aur Siffeen ke muqam per pahunch kar dera daal diya aur Jung ki taiyari shuru kar di,

★_ Ab us muqam per bhi wohi kaifiyat taari ho gayi, Dono Fareeq chahte they K Jung na ho, Lihaza Suleh ki koshish shuru hui, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne ek baar fir Suleh ke liye ek wafad Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ki khidmat me bheja, Dono taraf Sahaba Kiraam mojood they, Unme Hafize Qur'an aur Aalim bhi they, Un Sabne Poori koshish ki k Suleh ho jaye, Lekin Yaha'n fir wohi Masla tha, Saba'i giroh kab Suleh pasand karta tha ? Uski poori koshish thi k Jung zaroor ho,

★_ Ye Koshish Teen Maah tak Jaari rahi, In Teen maah me Un Shar Pasando ne 50 martaba Jung chhedne ki koshish ki Lekin Jo Buzurg Sahaba they, Ulma aur Fuzla they wo har baar darmiyan me pad kar Jung ko taalne ki poori koshish karte rahe, Aakhir Kyu koshish na karte ? Dono taraf Musalman they, Unke Andar dono taraf Esa Tabqa mojood tha Jo Suleh ki koshish ko nakaam banane per tula hua tha, Unki Sazishe musalsal jaari thi,
: ★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Aapke Mukhliseen Saathi, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu aur unke Mukhliseen Saathiyo se ye kehte they, Tum Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Jung karna chahte ho , Kya wo Khilafat ke tumse zyada Haqdaar nahi hai'n ? jawab me Hazrat Ameer Mu'awiya ki taraf se kaha jata - Hum Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke khoone Na Haq ke liye maidaan me aaye hai'n, Yani Qatilo ko hamare Hawale kar do to ye Jung abhi tal sakti hai _,"

★_ Garz is tarah Suleh ki koshish na kaam bana di gayi, Rajjab se le kar Muharram 37 Hijri ke Aakhir tak dono lashkar is tarah pade rahe, Fir Ju'nhi Safar ka Mahina shuru hua Jung fir Chhid gayi aur is qadar khoon Rez ladaiya'n hui k Hazaaro Afraad dono taraf ke Shaheed ho gaye, iske bavjood is Kaana Jungi ka koi faisla na ho saka,

★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu in Halaat se bahut Tang aa chuke they, Thak kar Unhone Faislakun Jung ka iraada kar liya, Apni Fauj ke Saamne ek Taqreer ki, is tarah unki Fauj me Josh paida ho gaya, Ab Dono Fojo me zabardast Jung shuru ho gayi, Jung ka silsila Chand Roz tak jaari raha Yaha'n tak k Jume ke Roz bahut zabardast Jung hui , Subeh se Jung shuru hui to Raat tak na Ruk saki doosri Subeh tak jaari rahi, 

★_ Zameen is Jung se kaa'np rahi thi, Shayad isliye k dono taraf se musalman Shaheed ho rahe they, Dushmano ki lagayi Aag me musalman kat kat kar gir rahe they, Aur Shar Pasand is Aag ke lagne per Bagle baja rahe they, Dil hi Dil me khush ho rahe they, Aakhir wo musalmano ko ladane me kamyaab ho gaye, Doosri Subeh Shaheed hone walo ki Laashe aur Zakhmiyo ko uthane ke liye Jung rok di gayi,
: ★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne ek baar fir Apni Fauj ke Saamne purjosh Taqreer ki , Doosri taraf Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu se kaha - Agar Musalman Aapas me esi ladayi ladte rahe to Saara Arab Veeran ho jayega fir Hum Romiyo ke Raham Karam per honge kyunki hamari Taaqat khatm ho chuki hogi_,"
Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke bade bade Saathiyo ne bhi Amru bin Aas ke khayalaat ki taaied ki, is per Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko ek khat likha, Khat ke Alfaz ye they, 

*"_ Agar hume aur Aapko maloom hota k ye Jung is qadar tool pakad jayegi to shayad hum dono ise pasand na karte, Bahar haal Ab hume is tabaah kun Jung ko rok dena chahiye, Hum log Bani Abd Munaaf hai'n, isliye Suleh esi ho k izzat v Aabru barqarar rahe _,"

★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne is khat ke jawab me Suleh karne se inkaar kar diya aur Doosri Subeh Apni Fauj ke saath maidaan me aa gaye, Lekin doosri taraf Jung band kar dene ka faisla kiya ja chuka tha, Us waqt Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne tadbeer ki, Unhone 5 Saathiyo ko Nezo per Qur'an utha kar Aage chalne ka hukm diya, Ye 5 Saathi Nezo per Qur'an uthaye jab Saamne aaye to aur Jitne logo ke paas Qur'an they un sabne bhi Apne Apne Nezo per Qur'an ko utha liya, 

★_ Agle chand Afraad ne elaan karne ke andaz me kaha - Allah Ta'ala hum sabko Romiyo aur iraaniyo ke haatho se bachaye, Agar Jung isi tarah jaari rahi to zaroor hum fana ho jayenge , Ye Allah Ta'ala ki kitaab hai ye hamare aur Tumhare darmiyan faisla karegi, Ye hamare aur Tumhare darmiyan hukm hai ( yani ye faisla karegi )
 ★_ Ab Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki fauj me bhi ye Awaaz buland hui k, "_ Theek hai Qur'an se faisla hona chahiye aur Agar is Faisle ko na maana gaya to Fauj se Alag ho jayenge_,"
Is moqe per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke ek wafadaar Ash'ash bin Qais ne kaha - Ey Ameerul Momineen ! Mai'n jis tarah kal Aapka jaa'nisaar tha, usi tarah Aaj bhi hu'n lekin Meri bhi yahi Raay hai k Qur'ane Hakeem ka hukm maan lena chahiye _," 

★_ Aakhir Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Jung band karne ka faisla kar liya, Is tarah Jung Ruk gayi, Ab dono Fareeqo me baat cheet shuru hui, Ye baat cheet khutoot ke zariye hui, Fir dono taraf ke Aalim Faazil log jama hue, Aakhir tay paya k Khilafat ka masla hal karne ke liye do Hakam muqarrar kar diye jaye, Wo jo faisla kare'n, Us per Amal kiya jaye, Shaamiyo ki taraf se Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ka naam Tajveez kiya gaya, Hazrat Ali ki taraf se Ash'ash bin Qais ne Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ka naam liya, 

★_Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu ka naam Tajveez kiya, is per kuchh logo ne kaha - Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu aur Aap to ek hi hai'n, Hakam to gair Jaanibdaar hona chahiye _,"
Is per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Astar ka naam liya, is per Aitraaz kiya gaya k Jung ki Aag to Astar hi ne bhadkayi hai, Ye to Aakhri waqt tak Jung jaari rakhne ke haq me tha, ise kis tarah Hakam muqarrar kiya ja sakta hai _,"

★_ Is per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya - Theek hai, Tum jise chaho Hakam muqarrar kar do mujhe koi Aitraaz nahi hoga_,"
Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ko bulaya gaya, Wo is Jung se bezaar ho kar Shaam ke ek gaa'nv me chale gaye they, Is tarah dono taraf se Hakam ek Jagah Jama hue aur Ek Mu'ahida Likha gaya, Us Mu'ahide ke Alfaz ye they :- 

"_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu aur in dono ke tarafdaar Aapas me Razamandi se ye Ahad karte hai'n k dono Hakam Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu aur Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu Qur'an v Sunnat ke mutabiq jo Fsisla karenge usko Tasleem karte hai'n, Unhe koi pasho pesh nahi hoga, isliye Dono Fareeq ke liye zaroori hai k kisi haalat me is Faisle se inkaar na kare'n, Haa'n Agar Faisla Qur'an aur Sunnat ke khilaf hoga to usko Tasleem nahi kiya jayega, is soorat me fariqeen ko Akhtyaar hoga k fir Jung shuru kar de'n _,"
: ★_ Ye Mu'ahida 23 Safar ko likha gaya, Ash'ash bin Qais Ko is kaam per mamoor kiya gaya k wo Tamaam Qabilo ke Sardaaro se is per Dastkhat karaye'n, Ash'ash bin Qais ne ye kaam shuru kiya, Wo Sardaaro ke Yaha'n ja Kar Mu'ahida suna suna kar Dastkhat karane lage, 

★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Saathiyo me bahut se logo ne is Mu'ahide ko na pasand kiya aur unhone Dastkhat se inkaar kiya, Yaha'n tak k ye log Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki khidmat me haazir hue aur Aapse farmaya - Hume Ye Mu'ahida manzoor nahi _,"
_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne unki baat nahi suni, Is per wo log naraaz ho gaye aur is saare maamle se alag ho gaye, is tarah unka ek Alag giroh ban gaya, Ye Firqa Khaarji kehlaya, iska Zikr Aage Aayega, 

★_ Dono Hakamo ke ijlaas ke liye muqam Domta Aljundul muqarrar kiya gaya, Ye muqam iraaq aur Shaam ke darmiyan waqe hai, Dono Hakamo ke saath 400 - 400 Aadmi they, Yani 400 Aadmi Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Apne Hakam Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ke Saath Rawana farmaye aur 400 Aadmi Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne Apne Hakam Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ke saath rawana farmaye, Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ke saath jo 400 Aadmi rawana kiye gaye unke Afsar " Shareeh bin Haani " they, 

★_ Kuchh Buzurg Sahaba ese they Jo is Jung se bilkul alag rahe they, Ab Jabki Unhone suna k Dono taraf se Suleh ki koshish ho rahi hai aur is garz ke liye Hakam muqarrar kiye gaye ha'in to wo bhi is moqe per Domta Aljundul pahunch gaye, in Sahaba Kiraam me Hazrat Abdullah ibne Umar, Hazrat Saad bin Abi Waqqas aur Hazrat Mugira bin Shoba Raziyallahu Anhum Hai'n,

★_ Unme se Hazrat Mugira bin Shoba Raziyallahu Anhu is qism ke Mamlaat me bahut Soojh boojh rakhte they, Unhone dono Hakamo se alag alag mulaqaat ki, is tarah unke Khayalaat maloom kar ke Andaza lagaya k is tarah bhi koi khush gawaar natija nikalne ki ummeed nahi hai, Unhone Apna ye khayal Doosre Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko bata bhi diya,

★_ Idhar Dono Hakam ek jagah mil bethe, Unki Aapas me baat cheet shuru hui, Kaafi der ki baat cheet ke baad Aakhir dono ne faisla kiya k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu dono ko ma'zool kar diya jaye aur Musalman naye sire se apna khalifa muntakhab kare'n, Dono ye faisla kar ke musalmano ke darmiyan waapas Aaye, Masjid me sabko jama kiya gaya, 

★_ Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ne Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu se kaha - Aap mimbar per aa kar faisla suna de'n_," 
Is per Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne kaha - Aap Fazal v Kamaal me hamare Buzurg hai'n, Lihaza Aap ke muqable me Mai'n pehal kese kar sakta hu'n, Pehle Aap mimbar per Aaye'n aur Faisla Sunaye'n _,"

★_ Chunache Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu mimbar per Aaye'n aur Logo ko mukhatib kar ke Farmaya :- Sahibo ! Hum Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu dono ko ma'zool karte hai'n, Majlis Shoora fir se khalifa ka intikhab kare_,"

★_ Ab Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ki baari aayi, Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne pehle Allah Ta'ala ki hamdo Sana ki, Fir Farmaya - Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ne jo baat kahi wo tumne sun li hai, Unhone Apne Ameer ko ma'zool kar diya hai aur Maine bhi unhe Ma'zool kar diya, Mai'n Apna Ameer Mu'awiya ko qaa'im rakhta hu'n , Bila Shubha Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke Madadgaar aur Unke Khoon ke badle ka matalba karne wale hai'n, Wo Sab logo se zyada unki jagah per khade hone ke Haqdaar hai'n _,"

★_ Dar Asal Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ne saaf tor per Mehsoos kar liya tha k Agar is waqt logo ko bager Ameer ke chhod diya gaya to isse bhi zyada taweel ikhtilafaat bad jayenge, bas Aapne isi Maslihat ko dekh kar Hazrat Ameer Mu'awiya ko qaa'im rakha , 

★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne is Faisle ko na pasand Farmaya aur Dobara Fauj ko Taiyaar karne lage they k Khaarjiyo ki Bagawat ke bare me ilm hua, 
Khaarji wo log they Jinhone Hakam muqarrar karne ko pasand nahi kiya tha aur Jab Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu aur Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ko Hakam muqarrar kiya gaya to ye Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Lashkar se alag ho kar Waha'n se chale gaye, Inki tadaad 12 Hazaar ke qareeb batayi jati hai, Inka kehna tha k Deen ke maamlaat me kisi ko bhi Hakam muqarrar nahi kiya ja sakta aur esa karna Kufr hai, 

★_ Ab inhone doosre logo se Poochhna shuru kiya k wo Hakam muqarrar karne ko Kufr maante hai'n ya nahi, Jisne Unki baat se ittefaq kiya use Unhone zinda chhod diya aur Jisne ikhtilaf kiya use qatl karaya, is tarah in logo ne kuchh logo ko qatl kar diya, Jab ye khabare Hazrat Ali Raziyallahu Anhu tak pahunchi to Aapne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke bajaye in logo se Jung karne ka faisla Farmaya,

★_ Chunache Pehle Ek Qaasid Khaarjiyo ki taraf bheja, Un logo ne Aapke is Qaasid ko bhi qatl kar diya, is per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne fori tor per inka Rukh kiya aur Neharvaan ke muqaam per pahunch kar padaav daala, Us jagah Aapne Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu aur Hazrat Qais bin Ubada Raziyallahu Anhu ko Khaarjiyo ke paas bheja taki wo unse baat cheet kar ke unhe Samjhane ki koshish kare'n, 

★_ Khaarjiyo ne unki baat bhi na suni, Ab Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne unki taraf se ek shakhs ko bulaya taki khud baat kare'n, is tarah Jo Shakhs aaya uska naam ibne Alkawa tha, Aapne use Samjhane ki poori koshish ki Lekin Unke Dil Syaah ho chuke they, Samjhane ki har koshish nakaam rahi, Aakhir Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne fauj ko taiyari ka hukm diya,

★_ Khaarjiyo ka Sardaar Abdullah bin Wahab Raasbi tha, Akhir Jung shuru hui, Bahut Khofnaak Jung ladi gayi, Khaarjiyo me se bahut se log Jung se jaan bachane ke liye pehle hi maidaan se nikal gaye they, Is tarah Abdullah bin Wahab Raasbi ke saath sirf 4 hazaar Aadmi reh gaye they, Ye msidane Jung me date rahe Yaha'n tak k ek ek kar ke sabke sab qatl kar diye gaye, Maidaan Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke haath raha,

★_ Is Jung ka naam Junge Neharvaan hai, Jung se faarig hone ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Qatl hone walo me se kisi ki talash me nikle, Aan Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne ek Shakhs ke bare me Aapse Pesh goi farmayi thi, yani un logo ko Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se jung karne ke bare me farmaya tha aur unke darmiyan qatl hone wale ek shakhs ka mukammal huliya bayan farmaya tha, To us waqt Hazrat Ali Raziyallahu Anhu dar Asal us Huliye wale shakhs ko talash kar rahe they, aur Aakhir Aapko wo shakhs laasho ke darmiyan mil gaya, Uska Huliya bilkul wohi tha jo Huzoor Nabi kareem Sallallahu Alaihivasallam ne bayan farmaya tha, Ye dekh kar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu pukaar uthe - Allahu Akbar ! Allah ki qasam ! Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne bilkul durust farmaya tha _,"
 ╨─────────────────────❥

*"_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Shahadat _,*

★_is Jung se faarig hone ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Shaam per Chadayi karne ka iraada farmaya, lekin us moqe per Ash'ash bin Qais ne kaha - Ameerul Momineen ! Hamare Tarkash khaali ho gaye, Talwaro ki dhaare mud gayi, Nezo ke phal kharab ho gaye, isliye Jung se pehle hume Taiyari karne ki mohlat de'n, Aapne unhe mohlat di aur Nakhliya ke muqaam per padaav kiya, 

★_ Aapke Hamraahi Jung se tang aa chuke they Lihaza Raat ki tareeki me khisakne lage Yaha'n tak k Aapke ird gird sirf ek Hazaar Afraad reh gaye, Ye Haalat dekh kar Aapne Shaam per Chadayi ka iraada tark kar diya aur waapas Koofa chale aaye,

★_ Iske baad Aapki Zindgi ke din Bagawato ke khilaf koshisho me basar hote rahe, Doosri taraf Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu Apni Taaqat badhane me Kamyaab hote chale gaye Yaha'n tak k Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Shahadat ka Waqia pesh aa gaya, 

★_ Iski Tafseel ye hai k Neharvaan ki Jung ke baad chand Khaarji Hajj ke moqe per jama hue, Unhone us waqt ke halaat per baat cheet shuru ki, Kaafi der ki behas ke baad unhone ye natija nikala k Jab tak tak Teen Aadmi Duniya me mojood hai'n, islami Duniya ko khana Jungiyo se nijaat nahi mil sakegi aur Wo teen Hazrat Ali Raziyallahu Anhu, Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu aur Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu, is per unme se teen Aadmi in teeno Hazraat ko qatl karne per Aamada ho gaye, Abdur Rahman muljim ne kaha ,k Mai'n Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke qatl ka zimma leta hu'n, Nazaal naami shakhs ne kaha - Mai'n Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu ko qatl karunga, teesre Shakhs Abdullah ne Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ko qatl karne ki Zimmedari li aur Teeno Apni Apni muhim per rawana ho gaye,

★_Ramzan 40 Hijri me Teeno ne ek roz Subeh ke waqt in teeno Hazraat per Hamla karne ka program tarteeb diya, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu aur Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu ittefaqi tor per bach gaye, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu per Vaar ochha pada, Hazrat Amru bin Aas Raziyallahu Anhu us Roz imaamat ke liye aaye hi nahi, Unki jagah Namaz padhane ke liye koi aur aaya aur unki jagah maara gaya,

★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki zindgi ke din poore ho chuke they, Aap Masjid me Tashreef laye, ibne Muljim pehle hi aa kar Masjid me let gaya, Aapne utha diya, Jab Aap ne namaz shuru ki to usi haalat me us Bad Bakht aur Sangdil Shakhs ne Talwaar ka vaar kiya, Vaar sar per laga, Ibne Muljim ko logo ne bhaagne ki mohlat na di aur giraftar kar liya, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Shadeed Zakhmi hue, Aap ne foran Mehsoos kar liya k is Zakhm se bach nahi sakenge, Chunache Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu aur Hazrat Hausain Raziyallahu Anhu ko bula kar Nasihate farmane lage,

★_ Us waqt Jundub bin Abdullah ne puchha - Ameerul Momineen ! Aapke baad hum Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke haath per Bayt kar le'n? 
Aapne Jawab me irshad farmaya - iske bare me Mai'n Kuchh nahi kehna chahta _," iske baad Aapne Apne Qaatil ke bare me farmaya - Usse mamooli Andaz se badla liya jaye _,"

★_ ibne Muljim ki Talwaar zehar me bujhi hui thi, Zehar ne Apna kaam kiya, Aap us Zakhm se bach na sake aur 20 Ramzan 40 Hijri Juma ki raat ko Apne Allah se ja mile, ilm aur Fazal ka Suraj Guroob ho gaya, inna lillahi wa inna ilaihi rajioun_,"
 ╨─────────────────────❥
 *"_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke Faza'il _,*

★_:Hazrat Ali Raziyallahu Anhu jis waqt Khalifa bane us waqt Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki Shahadat ki vajah se Madina Munawwara ke alawa bhi poora Aalame islam pareshan tha, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki wafaat koi mamooli Waqia nahi tha, Chunache har taraf haijaan fail gaya tha, Yahi vajah hai k Aapka Saara daur Aapas ke ikhtilafaat ki nazar ho gaya ,

★_ In kun Halaat ke bavjood Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne islahaat ka kaam jaari rakha, Aap Apne Aalimo ki nigrani karte they, Logo ke saath Shafqat se pesh aate they, Baitul Maal ke darwaze gareebo ke liye khule they, Usme jo raqam aati Aap zarurat mand me Taqseem farma dete they, 

★_ Aap khud bahut Tajurba kaar Jung Aazma they, Jungi Mamlaat ko achchi tarah samajhte they, Chunache khalifa banne ke baad Aapne Fauji Chhavniya'n Kasrat se qaa'im ki, Iraan Ki taraf Shorsh aur bagawat ki vajah se Aapne istakhar me Qila Hasan Zyad banwaya taki khatre ke waqt Aurto'n aur Bachcho ki hifazat ho sake, Jungi Tamiraat ke Silsile me Dariya Faraat per pul banwaya, Yaman me islam ki Roshni Aap hi ki koshish se faili thi, Surah Baraat Naazil hui to uski tablig aur isha'at ki khidmat Aap hi ke zimme hui, 

★_ Aapke Khalifa banne ke baad Iraan aur Aarminiya ke naye naye musalman murtad ho gaye to Aapne unki Sarkobi farmayi, Chunache unme se Aksar ne tauba ki aur Musalman ho gaye, isi tarah Khaarjiyo ka Qila fateh kiya,
 ★_ Saba'i giroh me se kuchh Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko khuda kehne lage they, Aapne unhe ibratnaak Sazae'n di, Unke Gharo ko dhaha diya, 

★_ Aapko Bachpan hi se Aan Hazrat ﷺ ki sohbat Naseeb Ho gayi thi, Lihaza Aapko Aan Hazrat ﷺ se Taleem v Tarbiyat ka moqa mila tha aur Ye silsila Aakhir tak jaari raha, Aapko Din Raat me 2 Martaba Aap ﷺ ki khidmat me haazir rehne ka moqa milta tha, Safar me bhi Aksar Saath rehte they, is tarah Aapko Safar se mutalliq Shara'i Ahkamaat se waaqif hone ka moqa milta rehta tha, 

★_ Aap likhna padhna jaante they, Chunache Aap ﷺ ke Tehreeri kaam Aap hi karte they, Kaatibane Wahi me Aapka naam bhi shamil hai, Aapne Poora Qur'an Aap ﷺ ki zindgi hi me hifz kar liya tha, Aap Qur'ane kareem ki ek ek Aayat ke ma'ani aur Shane nuzool se waaqif they, Chunache Aapka Shumar Qur'ane kareem ke mufassiro me hota tha, Sahaba Kiraam me Aapke Alawa Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu bhi Qur'ane kareem ke mufassir they,

★_ Baaz logo ka khayal tha k Aan Hazrat ﷺ ne Qur'ane kareem ke alawa bhi kuchh khaas uloom Aapko bataye hai'n, Chunache Aapke Shagirdo ne Aapse puchha - Kya Qur'an ke alawa kuchh aur uloom bhi Aapke Paas hai ? 
Aapne Jawab me farmaya - Qasam hai us zaat ki Jo Daane ko faad kar darakht ugata hai aur Jo jaan ko jism ke andar paida kar deta hai, Quran ke siva mere paas kuchh nahi, Lekin Quran ke Samajhne ki Taaqat Allah Ta'ala jise chahe ata kare, iske alawa chand Ahadees mere paas hai'n,
[1/2, 9:43 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Aapne Bachpan se le kar Wafate Nabvi ﷺ tak takriban 30 saal Aan Hazrat ﷺ ki khidmat me basar kiye, Isliye islam ke Ahkaam aur Fara'iz ke Aap bahut bade Aalim they, is tarah Ahadees ki rivayat ka zamana Aapko Sabse zyada mila, Khulfa E Rashideen me Aapki rivayaat ki tadaad Sabse zyada hai, Aap 886 Ahadees ke Raavi hai'n, Fiqha aur ijtihaad me Aapko Kamaal haasil tha, bade bade Sahaba Yaha'n tak k Hazrat Umar Raziyallahu Anhu aur Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anhma ko bhi kabhi kabhi Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Masa'il maloom karne ki zarurat pesh aati, Mushkil se Mushkil aur Pechida se Pechida Masa'il Aap nihayat Asaani se hal farma dete they,

★_ Fiqhi Masa'il me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko jo Kamaal haasil tha uski vajah ye thi k Aap jo baat nahi jaante they wo Aan Hazrat ﷺ se poochh liya karte they, Hanfi Fiqha ki buniyad Hazrat Abdullah ibne Mas'oud Raziyallahu Anhu ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke hi faislo per Mubni hai, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmaya karte they- Hum me muqdmaat ke faislo ke liye sabse mozu Ali hai'n aur sabse bade Qari Uba'i bin ka'ab hai'n _,

★_ Hazrar Abdullah bin Mas'oud Raziyallahu Anhu kehte hai'n - hum (Sahaba) kaha karte they k Madina Walo me sabse zyada Sahi Faisla karne wale Ali hai'n _, 
Aapke paas bahut hi Ajeeb noiyat ke muqadmaat aate they, Jinke bare me doosre faisla nahi kar pate they lekin Aap bahut Asani se unka faisla farma dete they, Tareekh ki kutub me ese bahut se muqdmaat darj hai'n, unki padh kar Hairat hoti hai,

★_ Aap bahut buland paya khateeb they, Taqreer aur khitabat me Aapko malka haasil tha, Aapki Taqreer bahut Ba Asar hoti thi, Aap me Kamaal Darje ka Zuhad paya jata tha, Haq ye hai k Aapki Zaat Zuhad ka namoona thi, Ek martaba Shadeed Bhook ki haalat me Subeh se Shaam tak mazdoori ki, is tarah mazdoori me jo khajoore mili wo bhi ek Sawal karne wale ko de di, Ghar me koi khaadim ya Khadima nahi thi, Ghar ka Saara kaam Hazrat Fatima Az Zohra Raziyallahu Anhma karti thi'n,
[1/3, 2:01 PM] Haqq Ka Daayi Official: ★_ Aap nihayat ibaadat guzaar they, Saadgi aur inksaari bhi Aapne inteha Darje ki thi, Log Masa'il poochhne aate to Aap kabhi ou'nt chara rahe hote, Kabhi Zameen Khod rahe hote, Mizaaj me Saadgi itni thi k Zameen per hi bila takalluf so jate they, Ek martaba Aapko mitti per sota dekh kar Aan Hazrat ﷺ ne Farmaya - Ey Abu Turaab ! Ab uth Beth _,"

★_ Abu Turaab ka matalab hai mitti wale, Lihaza yahi Aapki kunniyat mash'hoor ho gayi aur Abu Turaab kehlana Aapko bahut pasand tha, Koi Aapko is Naam se pukarta to bahut khush hote they, Khilafat ke Dino me bhi ye Saadgi barqarar rahi,

★_ Shuja'at aur Bahaduri to Aapko khaas khoobi thi, isme koi Aapke Hum Pyala nahi tha, Aap Tamaam Gazwaat me shareek rahe aur Sab hi me Shuja'at ke Johar dikhaye,

★_ Aap Dushmano ke saath bhi Husne Sulook se pesh aate they, Iski bahut si misaale Tareekh ki kutub me mojood hai'n, Pehle Teeno Khulfa ke Aap musheer rahe, Teeno Aapse mashwara liya karte they,

★_ Aapke 17 Ladkiya'n aur 14 Ladke paida hue, Unme Se Hazrat Hasan, Hazrat Husain, Muhammad bin Hanfiya Raziyallahu Anhum se silsila e nasl chala, Allah Ta'ala ki Aap per beshumar rehmate Naazil ho'n_,

 ╨─────────────────────❥
★_ Bayt Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu _,*

★_ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se Wafaat se pehle puchha gaya - Kya Aapke baad Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke haath per Bayt ki jaye ? Jawab me Aapne Farmaya - Mai'n Apne haal me mashgool hu'n, Tum jise pasand karo, uske Haath per Bayt kar lena _,"

★_ Aapke is jumle se logo ne khayal kiya k Aapne Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu se Bayt ki ijazat di hai, Chunache Log Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke paas aaye, Sabse pehle Qais bin Saad bin Ubada Raziyallahu Anhu ne Bayt ke liye haath badhaya, Uske baad doosre log Aage aate rahe aur Bayt karte rahe, Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu Bayt lete waqt kehte they - Mere Kehne per Amal karna, Jisse Mai'n Jung karu'n tum bhi usse Jung karna aur Jisse Mai'n Suleh karu'n tum bhi usse Suleh karna _,"

★_ Doosri taraf Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki wafaat ke baad Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne Apne liye Ameerul Momineen ka laqab Akhtyaar kiya aur Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko paigam bheja - Suleh Jung se behtar hai aur behtar yahi hai k Aap mujhe Khalifa Tasleem kar ke mere haath per Bayt kar le'n_,"

★_ Is moqe per Khaarjiyo aur Munafiqo ne ye baat Mash'hoor kar di k Hazrar Hasan Raziyallahu Anhu Hazrat Mu'awiya Raziyallahu Anhu se Suleh karna chahte hai'n, Agarche Esi Suleh Yaqinan Khayr ka baa'is thi magar Un Zalimo ne goya ise ek Saazish ke tor per Mash'hoor kar diya, Saath hi Unhone Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu per Kufr ka fatwa laga diya,

: ★_ Is Fatwe ne Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke Lashkar me Halchal macha di, Wo 2 hisso me bat gaye aur Aapas me ladne lage, Yaha'n tak k Kuchh log Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke kheme me bhi ghus aaye aur Aapka Libaas pakad kar kheenchne lage, Yaha'n tak k Aapka Libaas taar taar ho gaya, Wo log Aapki chaadar aur Kheme ki har cheez loot kar le gaye,

★_ in halaaat me Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ne Qabila Rabiya aur Hamdaan ko Awaaz di, ye dono Qabile Aapki madad ko aaye aur Shar Pasando ko Aapke paas se hatane me kamyaab ho gaye, is tarah Shor Sharaba khatm ho gaya,

★_ Iske baad Aap Mada'in ki taraf ja rahe they k ek Khaarji Jarah bin Qubes ne Aap per Neze ka vaar kiya, Neza Aapki raan per laga, Aapko utha kar Mada'in me laya gaya, Aapke Zakhmo ka ilaaj kiya gaya aur Aakhir Zakhm theek ho gaya,

★_ In Halaat ka Jaayza lene ke baad Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu se Suleh karne ka faisla kar liya, Aapne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ko paigam bheja - Mai'n Suleh karne aur Aapke Haath per Bayt karne ke liye taiyaar hu'n, Agar Aap meri chand Shara'it maan le'n _,"

 ★_ Suleh ki ye Shara'it Aapne Abdullah bin Aamir ke haath rawana ki, Abdullah bin Aamir Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke paas pahunche aur ye Shara'it bayan ki, Saath hi Apni taraf se ye Shart bhi pesh kar di, k "_ Jab Aap Faut ho jaye'n to Khilafat ke Haqdaar Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ho'nge aur Jab tak Aap zinda hai'n Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko har Saal 5 Laakh dirham Salaana Baitulmaal se bhejte rahenge, Ek Shar ye hai k ilaaqa Ahwaaz aur Faaras ka kharaaj Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko mila karega _,"

★_ Ye Shara'it Sun kar Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne farmaya - Mujhe ye sab Shara'it manzoor hai'n aur Agar Hasan Raziyallahu Anhu kuchh aur Shara'it bhi pesh kare'nge to Mai'n wo bhi manzoor karunga kyunki unki Niyat Nek hai aur wo Musalmano me Suleh ke khwahish mand nazar aate hai'n _,"

★_ Ye keh kar Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne ek Saada Kaagaz per Apni muhar lagayi aur Abdullah bin Aamir ko dete hue farmaya - Ye Kaagaz Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke paas le jao aur unse keh do, Jo Shara'it chahe'n is Kaagaz per likh de'n, Mai'n tamaam Shara'it maanne ke liye taiyaar hu'n_,"

★_ Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu Apne Waalid Muhatram ke zamane se halaat ko dekhte chale aa rahe they, Wo Aapas ki Jungo se bezaar they, Chunache Abdullah bin Aamir Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke Dastkhat aur Muhar wala Kaagaz le kar Aapki khidmat me aaye, Aapne un Shara'it ko padha to naraaz hue aur farmaya - Mujhe ye Shart hargiz pasand nahi k Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke baad Mai'n khalifa banaya jau'n, Agar Mujhe Khilafat ki khwahish hoti to Mai'n is waqt hi kyu ise chhodne per Taiyaar hota_," ye Farmane ke baad Aapne Kaatib ko bulaya aur Suleh Naama likhne ka hukm diya,

: ★*"_ Ye Suleh Naama Hasan bin Ali bin Abi Taalib aur Mu'awiya bin Abi Sufiyan ke darmiyan likha jata hai, Dono in baato per Razamand ho gaye hai'n, Khilafat Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke supurd ki gayi, Unke baad Maslihat ke tahat jise chahenge Khalifa bana lenge, Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke haath se Tamaam Musalman mehfooz rahenge, Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke tarafdaaro ko kuchh bhi nahi kahenge _,"

★_ Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ko Jab ye Mu'ahida mila to Aap bahut khush hue, Aapne use Ba Khushi manzoor farmaya, fir Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne Koofe ki masjid me pahunch kar Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu se Bayt li, Koofa walo ne bhi Aapki Bayt ki,

★_ Bayt ke baad Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ne logo ko khutba diya, Uske Alfaz ye hai'n - "_ Mai'n Musalmano me fitne ko bahut makrooh samajhta hu'n, Apne Jadde Amjad ki ummat me se Fitne aur Fasaad ko door karne aur Musalmano ki jaan v maal mehfooz karne ke liye Maine Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu se Suleh ki hai aur unhe Apna Ameer aur Khalifa Tasleem kiya hai, Agar imaarat aur Khilafat unka Haq tha to unhe pahunch gaya aur Agar ye mera Haq tha to Maine ye haq unhe Bakhsh diya _,"

★_ Is Suleh ke baad Tamaam Mamlaat tay ho gaye aur is tarah Aan Hazrat ﷺ ki wo Pesh goi poori hui Jisme Aap ﷺ ne irshad farmaya tha - Mera Ye Beta Sardaar hai aur Allah ta’ala iske zariye Musalmano ke Do giroho me Suleh kara dega _,"
 ★_ Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ye khutba de kar mimbar se niche utre to Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ne farmaya - Ey Abu Muhammad ! Aaj Aapne esi Jawa'n Mardi aur Bahaduri dikhayi hai k Aaj Tak koi nahi dikha saka _,"

★_ Ye Suleh Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Shahadat ke 6 maah baad 41 Hijri me hui, Isiliye 41 Hijri ko Aamul Jama'at ( Jama'at ka saal ) kaha gaya, Suleh ke Mukammal hone per Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu Koofa se Damishk ki taraf rawana ho gaye, Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu Jab Tak zinda rahe Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu unke Saath nihayat izzat aur Ahatraam se pesh aate rahe, 

★_ Is Suleh ke natije me Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu poore Aalame islam ke Khalifa ho gaye aur qareeb qareeb sabhi Hazraat ne Hazrat Ameer Mu'awiya Raziyallahu Anhu ki Khilafat ko Tasleem kar liya, Unke Haath per Bayt kar li, is Suleh ke baad Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu Koofa ki Sakunat chhod kar Madina Munawwara aa gaye aur baqi zindgi Aapne Madina Munawwara hi me Basar farmayi,

★_ Aapki wafaat 50 Hijri ya 51 Hijri me hui, Kaha jata hai k Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko kuchh Saazish karne walo ne Zehar diya tha, Aapko Aapki Walda Majida Sayyada Fatima Az Zohra Raziyallahu Anhma Khatoone Jannat ke pehlu me dafan kiya gaya, Aapke 9 Bete aur 6 Betiya'n thi, Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko Allah Ta'ala ne wo martaba ata farmaya k unke zariye Musalmano ki Aapas ki khana Jungiyo ka 10 Saala silsila khatm hua, Allah Ta'ala ki un per beshumar rehmate Naazil ho'n , Aameen Summa Aameen,

*★_ Alhamdulilah Khilafate Rashida Mukammal hua, Humne Likhne me bahut Ahatyaat se kaam liya hai fir bhi Basar hu'n, Kahi'n na kahi'n koi chook ho gayi ho koi Galti humse ho gayi ho to Hum Allah Ta'ala se Maafi v Tauba ke talabgar hai'n, Saath hi Aap Sabhi members ke shukrguzar hai'n k Aapne Seeratun Nabi ﷺ aur Khilafate Rashida Raziyallahu Anhum aur bhi Digar Unwaan per likhne me hamari hamesha Hausla Afza'i ki, Allah Ta'ala se Dua hai Allah Aap sabhi Hazraat ko Jaza e Khayr de aur hamari in koshisho ko qubool farmaye , Aameen Summa Aameen,*

 ╨─────────────────────❥
 *📕_ Khilafate Rashida _Qadam Ba Qadam ( Writer- Abdullah Farani ), 
 *📕_ खिलाफते राशिदा _ क़दम बा क़दम (मुसन्निफ- अब्दुल्लाह फारानी)- *
 ╨─────────────────────❥                    _ *✍🏻 Haqq Ka Daayi_*
    http://www.haqqkadaayi.com
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻Subscribe Our YouTube Channel ,*
https://wa.me/message/YZZSDM5VFJ6IN1
*👆🏻 Group Join Karne Ke liye Link per Ja Kar Join likhiye _,*
*Telegram*_https://t.me/joinchat/AAAAAFT7hoeE_C8b71KBPg   

  ╚═════════════┅┄ ✭✭
 ╨─────────────────────❥  
*💕ʀєαd, ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd 💕,*
 ╨─────────────────────❥

Post a Comment

 
Top