✦✦
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
*ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ*
▓▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▁▓
✿ *FAZAA'IL E RAMZAN* ✿
▔▔▔▔▔
✿●•· *Ramzanul Mubarak Ki Aamad Per Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam Ka Khutba Istaqbaliya_*
➠Hazrat Salman Faarsi Raziyallahu Anhu ne Bayan farmaya k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Sha’abaan Ki Aakhri Tareekh mai Humko Khitaab farmaya k -“__ Ey logo ! Ek ba azmat Mahina aa pahuncha hai ,Jo Maahe Mubarak hai , Isme Ek Raat hai Jo Hazaar maah se Behtar hai , is Maah ke Roze Allah Ta’ala ne farz farmaye hai’n aur iski Raato mai Qayaam karna Tatavvu ( Gair Farz ) qaraar diya Hai ,
┱_ Is Maah Jo Shakhs koi Nek Kaam Karega usko esa Ajr v Sawab milega Jese iske alawa doosre Mahine mai Farz Ada karta aur Farz Ka sawab milta , aur Jo Shakhs is Maah mai ek Farz Ada Kare to Usko Sattar farzo ke barabar Sawab milega ,
┱_ Ye Sabr Ka Mahina hai aur Sabr Ka badla Jannat hai aur Aapas mai gamkhwari Ka mahina hai , isme Momin Ka Rizq badha Diya Jata Hai, is Maah mai Jo Shakhs kisi rozedaar Ka Roza aftaar Kara de to ye uski magfirat ka Dozakh se uski Gardan ki azaadi Ka Samaan ban jayega ,aur usko is qadar sawab milega Jitna Rozedaar ko milega ,Magar Rozedaar ke sawab mai se kuchh kami na hogi _,”
┱ _ Hazrat Salman Raziyallahu Anhu Ka Bayan hai k Humne arz Kiya- Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ! Humme har Shakhs ko itna muqaddar nahi Jo Roza aftaar Kara de , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Allah Ta’ala ye sawab usko ( bhi ) dega Jo Paani mile hue thode se doodh ya Ek khajoor ya Ek ghoont Paani Se aftaar Kara de , ( Mazeed farmaya k ) Jo Shakhs ( aftaar ke Baad ) kisi rozedaar ko pet bhar ke khana khila de Usko Allah Ta’ala mere Hauz se Esa Sairaab karenge k Jannat mai dakhil hone Tak pyaasa na hoga , ( aur fir Jannat mai to Bhook Pyaas Ka naam hi nahi )
┱ _Is Maah Ka Avval Hissa Rehmat hai , Doosra Hissa Magfirat hai ,Teesra hissa Dozakh se Azaadi Ka hai , Jisne is Maah mai Gulaam Ka Kaam halka Kar diya to Allah Ta’ala uski magfirat farma denge , Baaz rivayato mai ye bhi aaya hai k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne is moqe per ye bhi farmaya k is Maah mai Chaar kaamo ki kasrat Karo , Unme se do Kaam ese hai’n k Unke zariye tum Apne Parwardigaar ko Raazi karoge ,aur do Kaam ese hai’n Jinse tum be niyaaz nahi ho ,
*➠”_’Wo do Kaam Jinke zariye Khuda e Paak ki khushnudi haasil hogi ye hai – 1-“_ Laa ilaaha illallaah _” Ka vird rakhna aur 2- Khuda e Paak se magfirat Talab karte rehna ,
Aur Do Wo cheeze Jinse tum be niyaaz nahi reh sakte ye hai’n – 1- Jannat Ka Sawal aur 2- Dozakh se Panaah maangna _,”
*🗂 Mishkaatul Masabeh-173 Ba hawala Bayhiqi Fi Shoebul imaan v Targeeb v Tarheeb _,*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *रमज़ानुल मुबारक की आमद पर सरकारे दो आलम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम का खुतबा इस्तक़बालिया*
➠ हज़रत सलमान फ़ारसी रज़ियल्लाहु अन्हु ने बयान फरमाया की हुज़ूर सल्लल्लाहु अलैही वसल्लम ने शाबान की आखरी तारीख में हमको खिताब फरमाया की-"__
"_ऐ लोगो !एक बा अज़मत महीना आ पहुंचा है,जो माहे मुबारक है,इसमें एक रात है जो हज़ार महीने से बेहतर है,इस माह के रोज़े अल्लाह ताला ने फ़र्ज़ फरमाए हैं और इसकी रातों में क़याम करना गैर फ़र्ज़ क़रार दिया है,
➠इस माह में जो शख्स कोई नेक काम करेगा उसको ऐसा अजर व सवाब मिलेगा जैसे इसके अलावा दूसरे महीने में फ़र्ज़ अदा करता और फ़र्ज़ का सवाब मिलता ,और जो शख्स इस माह में एक फ़र्ज़ अदा करे तो उसको सत्तर फ़र्ज़ों के बराबर सवाब मिलेगा,
➠ ये सब्र का महीना है और सब्र का बदला जन्नत है और आपस मे गमख्वारी का महीना है,इसमें मोमिन का रिज़्क़ बढ़ा दिया जाता है,इस माह में जो शख्स किसी रोज़ेदार का रोज़ा इफ्तार करा दे तो ये उसकी मग़फिरत का दोज़ख से उसकी गर्दन की आज़ादी का सामान बन जाएगा,और उसको इस क़दर सवाब मिलेगा जितना रोज़ेदार को मिलेगा,मगर रोज़ेदार के सवाब में से कुछ कमी न होगी,
➠हज़रत सलमान रज़ियल्लाहु अन्हु का बयान है कि हमने अर्ज़ किया या रसूलुल्लाह सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ! हममे हर शख्स को इतना मुक़द्दर नही की जो रोज़ा इफ्तार करा दे ,आप सल्लल्लाहु अलैहि ने फरमाया कि अल्लाह ताला ये सवाब उसको भी देगा जो पानी मिले हुए थोड़े से दूध या एक खजूर या एक घूंट पानी से अफ्तार करा दे,(मज़ीद फरमाया कि)जो शख्स (अफ्तार के बाद)किसी रोज़ेदार को पेट भर कर खाना खिला दे उसको अल्लाह ताला मेरे हौज़ से ऐसा सैराब करेंगे कि जन्नत में दाखिल होने तक प्यासा न होगा(और फिर जन्नत में तो भूख प्यास का नाम ही नही)
➠इस माह का अव्वल हिस्सा रहमत है,दूसरा हिस्सा मग़फिरत है,तीसरा हिस्सा दोज़ख से आज़ादी है,जिसने इस माह में गुलाम का काम हल्का कर दिया तो अल्लाह ताला उसकी मगफिरत फर्मा देंगे ,
➠बाज़ रिवायतों में ये भी आया है कि आप हज़रत सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इस मौक़े पर ये भी फरमाया की इस माह में चार कामों की कसरत करो,उनमें से दो काम ऐसे है कि उनके ज़रिए तुम अपने परवरदिगार को राज़ी करोगे,और दो काम ऐसे हैं जिनसे तुम बे नियाज़ नही हो,वो दो काम जिनके जरिये खुदा ए पाक की ख़ुशनूदी हासिल होती है
1-"ला इलाहा इल्लल्लाह" का विर्द रखना और 2-खुदा ए पाक से मगफिरत तलब करते रहना,
और दो वो चीजें जिनसे तुम बेनियाज़ नही रह सकते ये हैं 1-जन्नत का सवाल और 2-दोज़ख से पनाह मांगना,,
*📕 मिशकातुल मसाबह -१७३ बा हवाला बहिक़ी फि शोबुल ईमान व तरगीब व तरहीब _,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *_ Roza Badni ibaadat hai_*
➠ _ insaan ki takhleeq ibaadat aur Mahaz ibaadat Ke Liye hai ,Jesa k Surah Zariyaat ( Aayat-56 )mai farmaya gaya Hai:-
*_وَمَا خَلَقْتُ الْجِنَّ وَالْإِنسَ إِلَّا لِيَعْبُدُونِ_,*
“_( Tarjuma )_ Aur Maine insaan aur Jinn ko nahi paida Kiya Magar is waaste k Wo Meri ibaadat Kare _,”
┱ _Roza Badni ibaadat hai Jo pehli Ummato per bhi Farz Tha ,Jesa k Surah Baqrah ( Aayat 183 )mai farmaya hai :-
*__يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ__*
“_ ( Tarjuma)_ Ey imaan Walo ! Tum per Roze Farz kiye gaye Jesa k Tumse pehle logo per Farz kiye gaye they ,Taki tum parhezgaar bano ,ye Roze Chand dino ke hai’n
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·रोज़ा बदनी इबादत है_,*
➠ इंसान की तख़लीक़ इबादत और महज़ इबादत के लिए है,जैसा कि सूरह ज़रियात (आयत-56) में फरमाया गया है:-
*"_ ( तर्जुमा ) और मैंने इंसान और जिन्न को नही पैदा किया मगर इस वास्ते के वो मेरी इबादत करे__"
➠ रोज़ा बदनी इबादत है जो पहली उम्मतों पर भी फ़र्ज़ था,जैसा कि सूरह बक़रह (आयत 183) में फरमाया है:-
"_ ( तर्जुमा ) ऐ ईमान वालों! तुम पर रोज़े फ़र्ज़ किये गए जैसा कि तुमसे पहले लोगो पर फ़र्ज़ किये गए थे,ताकि तुम परहेज़गार बनो,ये रोज़े चंद दिनों के हैं_,"
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
*✿●•·Roze Ki Hikmat_*
┱ Qur’an mai _ْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ Mai Roze Ki Hikmat ki taraf ishara farmaya gaya Hai , Taqwa Sagira v Kabira ,Zaahiri aur Baatini Gunaaho se bachne Ka naam hai ,Roze ki farziyat Taqwa haasil karne ke liye hai ,
┱_ Poore Mahe Ramzan Ke Roze rakhna Har Aaqil Baalig Musalman per Farz hai ,Agar Koi Waaqa’i Ramzan ke Ahkaam v Adaab ki roshni mai Roza rakhe Jo Qur’an Hadees mai waarid hai’n ,to Ek Mahina khana Pina aur Jinsi Talluqaat ke muqtaza per Amal karne se agar ruke rahe to Baatin ke andar Nikhaar aur Nafs ka tazkiya aur Nafs ke andar sudhaar paida ho jata Hai ,
┱_ Ramzanul Mubarak ke Roze ke alawa Nifli Roze bhi mashroo kiye gaye hai’n Un Rozo Ka mustaqil sawab hai Jo Rivayat mai Mazkoor hai’n aur sawab ke alawa Nifli Rozo Ka ye faayda hai k Ramzanul Mubarak ke Roze Rakhte Waqt Jo Amali Kotaahiya’n ho Jaye Unki talafi ho jati hai ,
┱ _Jo Gunaah insaan se sarzad ho Jate hai’n Unme Sabse Zyada do cheeze gunaah Ka baa’is banti hai’n ,Ek moonh aur Doosri Sharmgaah , Chunache Imaam Tirmizi ne Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Naqal Kiya hai k – Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam se daryaft Kiya gaya k Sabse Zyada Konsi Cheez Dozakh mai dakhil karane Ka zariya banegi , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne jawab diya – moonh aur Sharmgaah ,”
“_in dono ko dozakh mai dakhil karane mai zyada dakhal hai ,Roze se Moonh aur Sharmgaah dono per pabandi hoti Hai aur Mazkoora dono cheezo se Jo gunaah ho sakte hai’n Roza unse Baaz Rakhne Ka Bahut bada zariya hai , isiliye to ek Bukhari v Muslim mai farmaya – Roza Dhaal hai ( gunaah se aur Aatishe Dozakh se bhi bachata hai ) *( Bukhari v Muslim )*
*✿●• Roze Ki Hifazat _*
┱ _ Agar Roze ko Poore ahatmaam aur Ahkaam v Adaab ki mukammal ri’ayat ke Saath poora Kiya Jaye to bila shubha Gunaaho se Mehfooz rehna Asaan ho Jata hai,Khaas Roze ke Waqt bhi aur Roze ke Baad bhi ,
“__Aur agar kisi ne Roze ke Adaab Ka Khayal na Kiya aur Gunaaho mai mashgool rehte hue Roze ki Niyat kar li aur Khaane pine ,nafsaani khwahish se to bacha raha Magar Haraam kamane aur Geebat karne mai laga raha to usse Farz to Ada ho jayega Magar Roze ki Barkaat v Samraat se Mehroomi rahegi ,Jesa k Hadees mai irshad farmaya:-
“_ Jo Shakhs Roza rakh Kar Jhooti Baat aur Galat Kaam na chhode to Allah ko kuchh haajat nahi k wo ( Gunaaho ko chhode bager ) Mahaz khaana Pina Chhod de _,” *( Bukhari An Abi Huraira Raziyallahu Anhu-16 )*
┱_ Maloom hua k Khana Pina aur Jinsi Talluqaat chhodne se hi Roza Kaamil nahi hota balki Roza ko fawahish ,munkiraat aur har tarah ke Gunaaho se mehfooz rakhna Laazim Hai, Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
“__ Jab Tumme se kisi Ka Roza ho to gandi Baate na Kare ,shor na machaye , agar koi Shakhs gaali galoch ya ladaai Jhagda karne lage ( to usko Jawab na de balki ) Yu Keh de k Mai’n Rozedaar hu’n ,( Gaali galoch, ladaai Jhagda karna Mera Kaam nahi hai ) *( Bukhari v Muslim )*
┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k farmaya fakhre Bani Aadam Aadam Sallallahu Alaihivasallam ne k Bahut se Rozedaar ese hai’n Jinke liye ( Haraam Khaane ya Haraam Kaam karne ya Geebat vagera karne ki vajah se ) Pyaas ke alawa kuchh bhi nahi ,aur Bahut se tahajjud Guzaar ese hai’n Jinke liye ( Riyakaari ki vajah se ) jaagne ke Siva kuchh bhi nahi _,” *( Daarmi )*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·रोज़े की हिकमत_*
➠ क़ुरआन में रोज़े की हिकमत की तरफ इशारा फरमाया गया है,तक़वा,, सगिरा व कबीरा,ज़ाहिरी और बातिनी गुनाहों से बचने का नाम है,रोज़े की फ़र्ज़ीयत तकवा हासिल करने के लिए है,
➠पूरे माहे रमज़ान के रोज़े रखना हर आकिल बालिग मुसलमान पर फ़र्ज़ है,अगर कोई वाकई रमज़ान के अहकाम व आदाब की रोशनी में रोज़ा रखे जो क़ुरआन हदीस में वारिद हैं तो,एक महीना खाना पीना और जिंसी ताल्लुक़ात के मुक़तज़ा पर अमल करने से अगर रुके रहा तो बातिन के अंदर निखार और नफ़्स का ताज़किया और नफ़्स के अंदर सुधार पैदा हो जाता है,
➠रमज़ानुल मुबारक के रोज़े के अलावा नफ्ली रोज़े भी मशरू किये गए हैं उन रोज़ो का मुश्ताकिल सवाब है जो रिवायात में मज़कूर हैं और सवाब के अलावा नफ्ली रोज़ों का ये फायदा है कि रमज़ानुल मुबारक के रोज़े रखते वक़्त जो अमली कोताहियां हो जाये उनकी तलाफ़ी हो जाती है,
➠जो गुनाह इंसान से सर्ज़द हो जाते हैं उनमें सबसे ज़्यादा दो चीजें गुनाह का बाइस बनती है,एक मुंह और दूसरा शर्मगाह ,चुनांचे इमाम तिर्मिज़ी ने हज़रत अबू हुरैराह रज़ियल्लाहु अन्हु से नक़ल किया है कि हुज़ूर अकरम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम से दरयाफ्त किया गया है की सबसे ज़्यादा कोनसी सी चीज दोज़ख में ले जाने का जरिया बनेगी,आप सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने जवाब दिया -मूंह और शर्मगाह, इन दोनों का दोज़ख में दाखिल कराने में ज़्यादा दखल है,रोज़े से मुंह और शर्मगाह दोनों पर पाबंदी होती है और मज़कूरा दोनों चीजों से जो गुनाह हो सकता है रोज़ा उनसे बाज़ रखने का बहुत बड़ा जरिया है,इसीलिए तो एक बुखारी व मुस्लिम में फरमाया -रोज़ा ढाल है(गुनाह से और आतिशे दोज़ख से बचाता है) *( बुखारी व मुस्लिम )*
*✿●•·रोज़े की हिफाज़त_,*
➠अगर रोज़े को पूरे एहतेमाम और अहकाम व अदाबकी मुकम्मल रिआयत के साथ पूरा किया जाए तो बिला शुभा गुनाह से महफूज़ रहना आसान है,खास रोज़े के वक़्त भी रोज़े के बाद भी, और अगर किसी ने रोज़े के आदाब का खयाल न किया और गुनाहों में मशगूल रहते हुए रोज़े की नीयत कर ली और खाने पीने ,नफ़सानी ख्वाइश से तो बचा रहा मगर हराम कमाने और ग़ीबत करने में लगा रहा तो उससे फ़र्ज़ तो अदा हो जाएगा मगर रोज़े की बरकत व समरात से महरूमी रहेगी ,जैसा कि हदीस में इरशाद फरमाया :-
"_जो शख्स रोज़ा रखकर झूटी बात और गलत काम न छोड़े तो अल्लाह को कुछ हाजत नही की वो (गुनाहों को छोड़े बगैर)महज़ खाना पीना छोड़ दे,, *( बुखारी -१२)*
➠मालूम हुआ कि खाना पीना और जिंसी ताल्लुक़ात छोड़ने से ही रोज़ा कामिल नही होता बल्कि रोज़ा को फवाहिश ,मुंकिरात और हर तरह के गुनाहों सर महफूज़ रखना लाज़िम है,सरवरे दो आलम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया:-जब तुममे से किसी का रोज़ा हो तो गंदी बातें न करे,शोर न मचाए ,अगर कोई शख्स गाली गलौच या लड़ाई झगड़ा करने लगे (तो उसको जवाब न दे)बल्कि यू कह दे कि मैं रोज़ेदार हूँ(गाली गलौच,लड़ाई झगड़ा करना मेरा काम नही) *( बुखारी व मुस्लिम )*
➠हज़रत अबु हुरैराह रज़ियल्लाहु अन्हु से रिवायात है कि फरमाया फखरे बनी आदम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने की बहुत से रोज़ेदार ऐसे हैं जिनके लिए (हराम खाने या हराम काम करने या ग़ीबत वगैरह करने की वजह से ))प्यास के अलावा कुछ भी नही और बहुत से तहज्जुद गुज़ार ऐसे हैं कि जिनके लिए रियाकारी की वजह से जागने के सिवा कुछ भी नही _," *( दारमी )*
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
*✿●•· Roza aur Sahat_*
┱ _ Roze mai Jaha’n Zaahir v Baatin Ka tzkiya hota Hai Wahi Sahat v Tandurasti bhi Haasil hoti Hai , Chunache Hafiz Manzri Reh. ne ” Targeeb v Tarheeb ” mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka ye irshad Naqal Kiya hai :-
“__ Jihaad Karo Ganimat haasil hogi ,Roza rakho Tandurasti haasil hogi ,Safar Karo Maaldaar ho Jaoge_,”
*( Ravaah Tabrani )*
┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Jo kuchh farmaya bilkul Haq hai , Aankho ke saamne hai , Doctor v Tibba bhi ye batate hai’n k Roze Ka Jismani Sahat se Khaas talluq hai aur Ramzan mai Jo Maajra Sab Apni Aankho se dekhte hai’n k 12- 14 ghante Khaali pet Reh Kar Aftaar ke Waqt naram garam daal pakodi ,kachche pakke chane aur tarah tarah ki cheeze Chand minute ke andar maide mai Pahunch jati hai’n aur Kuchh bhi kisi ko takleef nahi hoti, Ye Sirf Roze ki Barkat hai , Agar tibbi nuqta e Nazar se dekha Jaye to is tarah Khaali pet anaap sanaap bharti Kar lene ki vajah se maida Sakht Bimaar ho Jana chahiye ,
*📕Tohfa e Khwateen-276*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQgfor
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·रोज़ा और सेहत_,*
➠ रोज़े में जहां ज़ाहिर व बातिन का तज़किया होता है वही सेहत और तंदरुस्ती भी हासिल होती है,चुनांचे हाफिज मंज़री रह. ने तरग़ीब व तरहीब में हुज़ूर अक़दस सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम का ये इरशाद नक़ल किया है:- जिहाद करो गनीमत हासिल होगी,रोज़ा रखो तंदरुस्ती हासिल होगी,सफर करो मालदार हो जाओगे,,
*( रवाह तबरानी )*
➠ हुज़ूर अक़दस सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने जो कुछ फरमाया बिल्कुल हक़ है,आंखों के सामने है,डॉक्टर व तिब्ब भी ये बताते हैं कि रोज़े का जिस्मानी सेहत से खास ताल्लुक़ है और रमज़ान में जो माजरा सब अपनी आंखों से देखते हैं कि 12-14 घंटे खाली पेट रह कर अफ्तार के वक़्त नरम गरम डाल पकोड़ी ,कच्चे पक्के चने और तरह तरह की चीजें चंद मिनट के अंदर मैदे में पहुंच जाती हैं और कुछ भी किसी को तकलीफ नही होती,ये सिर्फ रोज़े की बरकत है,अगर तिब्बी नुक़ताए नज़र से देखा जाए तो इस तरह खाली पेट अनाप शनाप भर्ती कर लेने की वजह से मैदा सख्त बीमार हो जाना चाहिए,
*📕तोहफा ए खवातीन_176,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
*✿●•· Roze Ki Fazilat__*
┱ _ Ek Roza rakh lene per Khuda e Paak ki taraf se Kya in’aam milta hai,iske bare mai Sayyadul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
“__ Jo Shakhs Allah ki khushnudi ke liye ek din Roza rakhe Allah Ta’ala usko Aatishe Dozakh se itni door Kar denge Jitni door koi Shakhs Sattar ( 70 ) Saal Tak chal kar Pahunche _,”
*🗂 Bukhari v Muslim An Abi Saied Khudri Raziyallahu Anhu _,*
┱_ Aur Khaas Ramzan ke Roze ke bare mai irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai k –
“__ Shar’an Jise Roza chhodne ki ijazat na ho aur Aajiz karne Wala marz bhi lahiq na ho usne agar Ramzan Ka ek Roza Chhod Diya to Umar bhar Roze rakhne se bhi us ek Roze ki talaafi na hogi Agarche ( bator qaza ) Umar bhar Roze bhi rakh le _,”
*🗂 Ravaah Ahmad v Tirmizi v Abu Daowd v ibne Maaja v Daarmi An Abi Huraira Raziyallahu Anhu , Mishkaat _,*
┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Roze ke bare mai ye bhi irshad farmaya k :-
“__ insaan Ke har Amal Ka Ajr ( Kam az Kam ) das guna badha Diya Jata Hai ( Lekin ) Roze ke bare mai Allah Ta’ala Ka irshad Hai k Roza us qanoon se mustasna hai Kyunki wo Khaas mere liye hai aur Mai’n hi uski jaza dunga Banda Meri vajah se Apni khwahisho ko aur Khaane pine ko Chhod deta Hai _,”
*🗂 Bukhari v Muslim An Abi Huraira Raziyallahu Anhu _,*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•· रोज़े की फजी़लत _,*
➠ एक रोजा रख लेने पर खुदा ए पाक की तरफ से क्या इनाम मिलता है इसके बारे में सैयदे आलम सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम ने इरशाद फरमाया :- जो शख्स अल्लाह की खुशनूदी के लिए एक दिन रोज़ा रखे अल्लाह ताला उसको आतिश ए दोज़ख से इतनी दूर कर देंगे जितनी दूर कोई शख्स 70 साल तक चल कर पहुंचे_,"
*( बुखारी व मुस्लिम )*
➠ और खास रमज़ान के रोजे के बारे में इरशाद ए नबवी है कि शर'अन जिसे रोज़ा छोड़ने की इजाज़त ना हो और आजिज़ करने वाला मर्ज़ भी लाहक ना हो उसने अगर रमजान का एक रोज़ा छोड़ दिया तो उम्र भर रोजे रखने से भी उस एक रोजे की तलाफी ना होगी अगरचे (बतौर कज़ा ) उम्र भर रोजे भी रख ले _,"
*( रवाह अहमद व तिर्मीजी , अबु दाऊद व इब्ने माजा व दारमी अना अबी हुरैरा रजियल्लाहु अन्हु व मिश्कात)*
➠हुजूर अकरम सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम ने रोजे के बारे में यह भी इरशाद फरमाया कि इंसान के हर अमल का अजर (कम से कम )10 गुना बढ़ा दिया जाता है (लेकिन) रोज़े के बारे में अल्लाह ताला का इरशाद है कि रोज़ा इस कानून से मुस्तसना है क्योंकि वह खास मेरे लिए हैं और मैं ही इसकी जज़ा दूंगा बंदा मेरी वजह से अपनी ख्वाहिशों को और खाने-पीने को छोड़ देता है_,"
*( बुखारी व मुस्लिम अन अबी हुरैरा रजियल्लाहु अन्हु)*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *Rozedaar Ke Liye Jannat Ka ek Khaas Darwaza _*
┱ _ Hazrat Sahal bin Sa’ad Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jannat mai Aath (8) darwaze hai’n Jinme se ek Ka naam ” Rayyaan ” hai ,usse Sirf Rozedaar hi dakhil honge _,”
*🗂 Mishkaat _173 Az Bukhari v Muslim ,*
*┱_ Rozedaar ko Do Khushiya’n _,* _ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai k Rozedaar Ke Liye Do Khushiya’n hai’n ,Ek Khushi aftaar ke Waqt hoti Hai aur Ek Khushi us Waqt hogi Jab Apne Rab se mulaqaat Karega _,”
*🗂 Mishkaatul Masabeh- 16 Az Bukhari v Muslim_,*
┱_ Dar Asal Rab ki mulaqaat hi to ibaadat Ka Asal Maqsad hai ,us Waqt ki Khushi Ka Kya kehna Jan Aajiz Bande Apne Ma’abood se mulaqaat karenge ,Allah Ta’ala Hume bhi ye mulaqaat Naseeb farmaye ( Aameen )*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·रोज़ेदार के लिए जन्नत का एक खास दरवाजा*
➠ हज़रत सहल बिन साद रज़ियल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया की जन्नत में 8 दरवाज़े हैं जिनमे से एक का नाम रय्यान है उससे सिर्फ रोज़ेदार ही दाखिल होंगे,, *( मिशकात -१७३ )*
*★_ रोज़ेदार को दो खुशियां*
➠ हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम का इरशाद है कि रोज़ेदार के लिए दो खुशियां हैं ,एक खुशी अफ्तार के वक़्त होती है ,एक खुशी उस वक़्त होगी जब वो अपने रब से मुलाक़ात करेगा, *( मिशकातुल मसाबह - १६)*
➠दर असल रब की मुलाक़ात ही तो इबादत का असल मक़सद है,उस वक़्त की खुशी का क्या कहना जब आजिज़ बंदे अपने माबूद से मुलाक़ात करेंगे ,अल्लाह ताला हमे भी ये मुलाक़ात नसीब फरमाए(आमीन)
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *Ramzan Aur Qur’an_*
┱ _ Kalame ilaahi ko Ramzanul Mubarak se Khaas talluq hai Jesa k Surah Al-Baqara,( Aayat 185 ) mai irshad Hai :-
*”__شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِي أُنزِلَ فِيهِ الْقُرْآنُ _,*
*”__ Maahe Ramzan hai Jisme Qur’an Naazil Kiya gaya hai _,”
┱_ Qayame Ramzan Yani Namaze Taraveeh ,Ye bhi Qur’an Shareef padhne aur Sunne ke liye hai ,Din ko Roze mai mashgooliyat aur Raat ko Taraveeh mai khade ho Kar zoq v shoq se Qur’an Padhna ya Sunna isse Momin ke Qalb (Dil ) mai Ek Ajeeb kaifiyat Paida hoti Hai aur Ye dono ( Roza aur Qur’an ) Qayamat ke Din Momin ke kaam aayenge ,
┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai :-“__Roza aur Qur’an Bande ke liye Baargaahe ilaahi mai sifarish karenge ,Roza kahega k Ey Rab ! Maine is Bande ko Din mai Khaane pine aur Doosri khwahisho se rok Diya tha ,Lihaza iske bare mai Meri Sifarish qubool farma lijiye , aur Qur’an Majeed arz Karega k Maine ise Raat ko Sone nahi Diya ,Lihaza iske bare mai Meri Sifarish qubool farma lijiye , Chunache dono ki Sifarish qubool Kar li jayegi _,”
*🗂 Mishkaat-173 An Bayhiqi Fi Shoebul imaan ,*
┱ _Har Saal Ramzanul Mubarak mai Hazrat Jibraiyl Alaihissalam Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se Qur’an Majeed Ka Daur Kiya karte they ,Aap Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ko sunate aur Wo Afzalul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ko sunate they , Jis Saal Aap Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat Hui do baar Daur Kiya ,isse pehle ek baar Daur Kiya karte they _,” ( Bukhari )
┱ _Isse maloom hua k Ramzanul Mubarak mai Huffaaz Kiraam Ka ek doosre ko sunane Ka Jo marooj tareeqa hai ye Masnoon hai , Ramzan mai himmat Kar ke Hifz v Naazra khoob Quran ki Tilawat kiya Kare ,*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· _*रमज़ान और क़ुरान*
➠ कलामे इलाही को रमज़ानुल मुबारक से खास ताल्लुक़ है जैसा कि सूरह अल बकरा (आयात 185) में इरशाद है:-
"_माहे रमज़ान है जिसमे क़ुरान नाज़िल किया गया है_,"
➠ क़यामे रमज़ान यानी नमाज़ें तरावीह ,ये भी क़ुरआन शरीफ पढ़ने और सुनने के लिए है,दिन को रोज़े में मशगूलियत और रात को तरावीह में खड़े हो कर ज़ोक व शौक़ से क़ुरान पढ़ना या सुनना इससे मोमिन का क़ल्ब (दिल)मे एक अजीब कैफियत पैदा होती है और ये दोनों (रोज़ा और क़ुरआन )क़यामत के दिन मोमिन के काम आएंगे,
➠ हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम का इरशाद है:-
"_ रोज़ा और क़ुरआन बंदे के लिए बारगाहे इलाही में सिफारिश करेंगे,रोज़ा कहेगा कि ऐ रब मैंने इस बंदे को दिन में खाने पीने और दूसरी ख्वाहिशों से रोक दिया था,लिहाज़ा इसके बारे में मेरी सिफारिश क़ुबूल फर्मा लीजिए ,और क़ुरआन मजीद अर्ज़ करेगा कि मैंने उसे रात में सोने नही दिया,लिहाज़ा इसके बारे में मेरी सिफारिश क़ुबूल फर्मा लीजिए ,चुनांचे दोनों की सिफारिश क़ुबूल कर ली जाएगी_," *( मिशकात -१७३)*
➠हर साल रमज़ानुल मुबारक में जिब्राइल अलैहिस्सलाम हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम से क़ुरआन मजीद का दौर किया करते थे,आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम हज़रत जिब्राइल अलैहिस्सलाम को सुनाते और वो अफ़ज़लुल अम्बिया सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम को सुनाते थे,जिस साल आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम की वफात हुई दो बार दौर किया,इससे पहले एक बार दौर किया करते थे, ( बुखारी )
➠ इससे मालूम हुआ कि रमज़ानुल मुबारक में हुफ़्फ़ाज़ किराम का एक दूसरे को सुनाने का जो मारूज तरीका है ये मसनून है,रमज़ान में हिम्मत कर के हिफ़्ज़ व नाजरा खूब क़ुरआन की तिलावत किया करे,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *Ramzan mai Siyaam Aur Qiyaam_*
┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k-
“_Jisne imaan ke Saath aur Sawab Ka Yaqeen rakhte hue Ramzan ke Roze rakhe ,uske Pichhle Gunaah Maaf kar diye jayenge, aur Jisne Ramzan ( ki Raato mai ) imaan ke Saath aur Sawab Ka Yaqeen rakhte hue Qiyaam Kiya ( Taraveeh aur Nifl mai mashgool raha ) uske Pichhle Gunaah Maaf kar diye jayenge, Aur Jisne Shabe Qadr mai imaan ke Saath sawab samajhte hue Qiyaam Kiya uske Pichhle Gunaah Maaf kar diye jayenge _,”
*🗂 Mishkaatul Masabeh-173 Az Bukhari v Muslim ,*
┱_ Ramzanul Mubarak mai Raato ko Namaz padhte rehna Qiyaam e Ramzan kehlata hai , Taraveeh bhi isme dakhil hai aur Taraveeh ke alawa Jitne nawafil padh sake Padhte rahe , Hazrat Imaam Abu Hanifa Reh.se manqool hai k Woh Rozana Taraveeh Ba Jama’at se faarig ho Kar Subeh Tak ek Qur’an Majeed Namaz mai khade ho Kar khatm Kar lete they aur Ek Qur’an Majeed Rozana Din mai khatm karte they, is tarah Ramzan mai Unke iksath (61) khatm ho Jate they ,*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·रमज़ान में सियाम व क़याम _,*
➠ हजरत अबू हुरैरा रजियल्लाहु अन्हु से रिवायत है की हजरत रसूले अकरम सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम ने इरशाद फरमाया कि :- जिस ने ईमान के साथ और सवाब का यकीन रखते हुए रमजान के रोजे रखे उसके पिछले गुनाह माफ कर दिए जाएंगे और जिसने रमजान ( की रातों में) ईमान के साथ और सवाब का यकीन रखते हुए क़याम किया ( तरावीह और निफ्ल में मशगूल रहा) उसके पिछले गुनाह माफ कर दिए जाएंगे और जिसने शबे क़दर में ईमान के साथ सवाब समझते हुए क़याम किया उसके पिछले गुनाह माफ कर दिए जाएंगे _," *( मिश्कातुल मसाबेह-1/ 173, बुखारी व मुस्लिम )*
➠ रमजानुल मुबारक मे रातों को नमाज पढ़ते रहना क़यामे रमज़ान कहलाता है ,तरावीह भी इसमें दाखिल है और तरावीह के अलावा जितने नवाफिल पढ़ सकें पढ़ते रहें , हजरत इमाम अबू हनीफा रहमतुल्लाहि अलेहि से मंकूल है कि वह रोजाना तरावीह बा जमात से फारिग होकर सुबह तक एक कुरान मजीद नमाज़ में खड़े होकर खत्म कर लेते थे और एक कुरान मजीद रोजाना दिन में खत्म करते थे , इस तरह से रमजान में उनके 61 खत्म हो जाते थे ।
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *Taraveeh _*
┱ _ Namaze Taraveeh Mardo’n aur Aurto’n sabke liye Bees (20) Raka’at Sunnate mo’aqada hai, Aur Mardo’n ke liye ye bhi masnoon hai k Masjid mai Ba Jama’at Taraveeh padhe ,Hafiz ho to Qur’an Sunaye Varna Doosro Ka Qur’an sune ,
┱_ Ramzan mai Qur’an Padhne aur Sunne Ka zoq v shoq badh Jana Momin ke imaan Ka Taqaza hai ,Jo log Namaze Taraveeh mai Susti karte hai’n Ya Hafiz Rail ( Tez Raftaar ) ko Taraveeh padhane ke liye Tajveez karte hai’n Taki Jaldi se faarig ho Jaye ( Agarche Tez padhne mai Qur’an ke Haroof Kat Jaye aur Ma’ani badal Jaye ) Ese log Sakht Galti per hai’n , Saal mai ek Maah ke liye to ye moqa Naseeb hota Hai isme bhi Masjid aur Namaz ,Quran se lagaav na ho aur Jaldi se bhaagne ki koshish Kare Jese Jail se Bhaag rahe ho ,Bahut badi mehroomi hai , Ese log Taraveeh ke alawa Kya Nifl padhte Jabki Taraveeh Jo Sunnate mo’aqada hai Usko Bad Dili se padhte hai’n balki padhne Ka naam kar ke jald se jald Hotelo mai Jaa kar gappe ladane mai mashgool ho Jate hai’n ,
┱_ Bahut si Aurte’n Roze to rakhti hai’n aur Shabe Qadr mai bhi khoob jaag leti hai’n Lekin Taraveeh padhne mai Susti karti hai’n , Ey Maao’n Behno ! Aakhirat Ke Kaamo mai gaflat na barto , Taraveeh poori 20 Raka’at padha karo ,Agar bil Farz kisi vajah se Maslan Bachcho Ke rone cheekhne ya Unke mareez hone ki vajah se Shuru Raat mai poori Taraveeh na padh sako to Jab Sahri ke liye utho us Waqt poori kar lo , Balki agar Shuru Raat mai Poori Hi Namaze Taraveeh Reh Jaye to Poori 20 Raka’at Sahar ke Waqt padh lo ,*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *_ तरावीह__*
➠ नमाज़े तरावीह मर्दों और औरतों सबके लिए 20 रकअत सुन्नते मोअक्किदा है,और मर्दों के लिए ये भी मसनून है कि मस्जिद में बजमात तरावीह पढ़े,हाफिज हो तो क़ुरआन सुनाए वरना दूसरों का क़ुरआन सुनें,
➠रमज़ान में क़ुरआन पढ़ने और सुनने का ज़ौक़ व शौक़ बढ़ जाना मोमिन के ईमान का तकाजा है ,जो लोग नमाज़े तरावीह में सुस्ती करते हैं या हाफ़िज़ रेल(तेज़ रफ़्तार) को तरावीह पढ़ाने के लिए तजवीज़ करते हैं ताकि जल्दी से फारिग हो जाएं(अगरचे तेज़ पढ़ने में क़ुरआन के हुरूफ़ कट जाए और मानी बदल जाए)ऐसे लोग सख्त गलती पर हैं,साल में एक माह के लिए तो ये मौका नसीब होता है इसमें भी मस्जिद और नामाज़ ,क़ुरआन से लगाव न हो और जल्दी से भागने की कोशिश करे जैसे जेल से भाग रहे हो,बहुत बड़ी महरूमी है,ऐसे लोग तरावीह के अलावा क्या निफ़ल पढ़ते जबकि तरावीह जो सुन्नते मोअक्किदा है उसको बद दिली से पढ़ते हैं बल्कि पढ़ने का नाम कर के जल्द से जल्द होटलों में जा कर गप्पे लड़ाने में मशगूल हो जाते हैं,
➠बहुत सी औरतें रोज़े तो रखती हैं और शबे क़द्र में भी खूब जाग लेती हैं लेकिन तरावीह पढ़ने में सुस्ती करती है,ऐ माओं बहनों !आख़िरत के कामों में गफलत न बरतो ,तरावीह पूरी 20 रक्कत पढ़ा करो,अगर बिल फ़र्ज़ किसी वजह से मसलन बच्चों के रोने चीखने या उनके मरीज़ होने की वजह से शुरू रात में पूरी तरावीह न पड़ सको तो जब सहरी के लिए उठो उस वक़्त पूरी कर लो,बल्कि अगर शुरू रात में पूरी ही नमाज़े तरावीह रह जाए तो पूरी 20 रक्कत सहर के वक़्त पढ़ लो,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *_ Ramzan Aakhirat Ki Kamaa’i Ka Mahina hai , Isme Khoob Zyada Ibaadat Kare_*
┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k –
“__ Jab ( Maahe ) Ramzan dakhil ho jata Hai to Asmaan ke darwaze khol diye Jate hai’n aur Baaz rivayato mai hai k Jannat ke darwaze khol diye Jate hai’n aur Dozakh ke darwaze band Kar diye Jate hai’n aur Shayateen ( Zanjeero’n mai ) Jakad diye Jate hai’n ( aur Ek Rivayat mai Hai k ) Rehmat ke darwaze khol diye Jate hai’n _,”
*🗂 Mishkaat – 173 Az Bukhari v Muslim ,*
┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k –
“__ Jab Maahe Ramzan ki Pehli Raat hoti Hai to Shayateen aur Sharkash Jinn Jakad diye Jate hai’n aur Dozakh ke darwaze band Kar diye Jate hai’n, fir ( Ramzan ke khatm hone Tak ) Unme se koi ek darwaza bhi nahi khola Jata aur Jannat ke darwaze khol diye Jate hai’n fir ( Ramzan ke khatm Tak ) Unme Ka ek darwaza bhi band nahi Kiya Jata aur Ek Nida dene Wala Pukaarta hai k Ey Khayr ke talash karne wale Aage badh aur Ey Buraa’i ke talash karne wale ruk ja _,”
*🗂 Mishkaat-173 An Tirmizi ,**
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·रमजान आखिरत की कमाई का महीना है, इसमें खूब ज्यादा इबादत करें _,*
➠ हजरत अबू हुरैरा रजियल्लाहु अन्हु से रिवायत है की फरमाया हुजूर अक़दस सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम ने कि जब (माहे) रमजान दाखिल होता है तो आसमान के दरवाज़े खोल दिए जाते हैं और बाज रिवायात में है कि जन्नत के दरवाज़े खोल दिए जाते हैं और बाज़ रिवायत में है कि जन्नत के दरवाज़े खोल दिए जाते हैं और दोजख के दरवाजे बंद कर दिए जाते हैं और शयातीन( जंजीरों में ) जकड़ दिए जाते हैं (और एक रिवायत में है कि) रहमत के दरवाजे खोल दिए जाते हैं _,"
*📕 मिशकात -१७३ , बुखारी व मुस्लिम_,*
➠ हजरत अबू हुरैरा रजियल्लाहु अन्हु से रिवायत है की हुजूर अक़दस सल्लल्लाहू अलेही वसल्लम ने इरशाद फरमाया कि जब माहे रमजान की पहली रात होती है तो शयातीन और शर्कस जिन्न जगड दिए जाते हैं और दोजख के दरवाज़े बंद कर दिए जाते हैं फिर (रमजान के खत्म होने तक) उनमें से कोई एक दरवाज़ा भी नहीं खोला जाता और जन्नत के दरवाज़े खोल दिए जाते हैं फिर( रमजान के खत्म होने तक) उनमें का एक दरवाज़ा भी बंद नहीं किया जाता और एक निदा देने वाला पुकारता है कि ऐ खैर के तलाश करने वाले आगे बढ़ और ऐ बुराई के तलाश करने वाले रुक जा _,"
*📕 मिशकात -१७३, तिरमिज़ी _,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *Ramzan Nekiyo’n Ka Mahina Hai_*
┱ _ Ramzanul Mubarak Bahut hi khayro Barkat Ka mahina hai aur Aakhirat ki Kamaa’i Ka Bahut bada Seezan hai ,Jese Sardi ke Zamane mai Garam Kapde Bechne walo ko khoob Kamaa’i hoti Hai isi tarah Akhirat ki Kamaa’i ke liye bhi Khaas Khaas mawaqe aate rehte hai’n ,
┱_ Ramzanul Mubarak Nekiyo’n Ka Mahina hai, isme Ajro sawab khoob zyada badha diya Jata hai,Nifl Ka sawab Fatz ke barabar aur Ek Farz Ka Sattar Farzo ke barabar Sawab milta hai , Jesa k Khutab e Nabvi Sallallahu Alaihivasallam mai Guzar Chula hai ,is Maah mai Nekiyo’n ki Esi Hawa chalti hai k Khud ba khud Tabiyate Neki per aa jati hai’n , aur Allah ka munaadi bhi Neki karne wali ko thapki de de Kar aage badhata hai , Esi Soorat mai Momin Bande khoob zor shor se Nekiyo’n mai lag Jate hai’n , Jo Shakhs doosre mahino mai do Raka’at Namaz padhne se Jaan churate hai’n Wo Ramzanul Mubarak mai Paanch Waqt Aur Tilawat ke Paband ho Jate hai’n , aur Taraveeh bhi Khushi Khushi Ada karte hai’n , Bahut se Sharabiyo’n ko dekha hai k is Maah mai Sharaab Chhod dete hai’n aur Haraam Kamaa’i wale Haraam se Baaz aa jate hai’n ,
┱_ Fara’iz Ka ahatmaam to baharhaal zaroori hai,Nifli Namaz ,zikr, Tilawat aur Digar ibadaat ki taraf bhi khusoosi tavajjoh Karna chahiye, is Maah mai koshish Kare k koi minute zaay na ho , Laa ilaaha illallaah aur istigfaar ki kasrat Kare , Jannat Ka Sawal aur Dozakh se Mehfooz rehne ki Dua bhi kasrat se Kare , Shayad Kisi ke Dil mai ye khayal guzre k jab Shayateen qaid ho Jate hai’n to Bahut se log Ramzanul Mubarak mai bhi Gunaaho mai mubtila rehte hai’n? Baat dar Asal ye hai k insaan Ka Nafs gunaah karane mai Shaitaan Se kam nahi Hai, Jin logo ko Gunaaho ki khoob aadat ho jati hai unko Gunaaho Ka chashka pad Jata hai , Shaitaan ki targeeb ke bager bhi Unki Zindgi ki gaadi Gunaaho ki patri per chalti rehti hai ,
┱ _Gubaah to insaan se ho jata Hai Magar Gunaah Ka aadi banna aur is per israar Karna aur Ramzan Jese Mahine mai Gunaah Karna Bahut hi zyada khatarnaak hai , jaha gunaah karane ke liye Shaitaan Ke behkaane ki bhi zarurat na pade Waha’n Shararate Nafs ka Kya haal hoga ?*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *रमज़ान नेकियों का महीना है:-*
रमज़ानुल मुबारक बहुत ही खैरो बरकत का महीना है और आख़िरत की कमाई का बहुत बड़ा सीज़न है,जैसे सर्दी के ज़माने में गरम कपड़े बेचने वालों की खूब कमाई होती है,इसी तरह आख़िरत की कमाई के लिए खास खास मवाके आते रहते हैं,
➠रमज़ानुल मुबारक नेकियों का महीना है,इसमें अजरो सवाब खूब ज़्यादा बढ़ा दिया जाता है,नफिल का सवाब फ़र्ज़ के बराबर और 1 फ़र्ज़ का सवाब सत्तर फ़र्ज़ों के बराबर मिलता है,जैसे कि खुतबे नबी में गुज़र चुका है,इस माह में नेकियों की ऐसी हवा चलती है कि ख़ुद ब खुद तबियत नेकियों में आ जाती है,और अल्लाह का मुनादी भी नेकी करने वालों को थपकी दे दे कर आगे बढ़ाता है,ऐसी सूरत में मोमिन बंदे खूब ज़ोर शोर से नेकी करने में लग जाते हैं,जो शख्स दूसरे महीनों में दो रक्कत नामाज़ पढ़ने से जान चुराते थे वो रमज़ान में पांच वक़्त और तिलावत के पाबंद हो जाते हैं,और तरावीह भी खुशी खुशी अदा करते हैं,बहुत से शराबियों को देखा है कि इस महीने में शराब पीना छोड़ देते हैं और हराम कमाई वाले हराम कमाई से बाज़ आ जाते हैं,
➠फ़राइज़ का एहतेमाम तो बहरहाल ज़रूरी है, नफ्ली नामाज़, ज़िक्र तिलावत ,और दीगर इबादत के तरफ भी खुसूसी तवज्जोह करना चाहिए,इस माह में कोशिश करे कि कोई मिनेट भी जाया न हो,ल इलाहा इलल्लल्लाह और इस्तिग़फ़ार कि कसरत करें,जन्नत का सवाल और दोज़ख से महफूज़ रहने की दुआ भी कसरत से करे,शायद किसी की दिल मे ये खयाल गुज़रे की जब शयातीन कैद हो जाते हैं तो बहुत से लोग रमज़ानुल मुबारक में भी गुनाहों म मुब्तिला रहते हैं,?बात दरअसल ये है कि इंसान का नफ़्स गुनाह कराने में शैतान से कम नही है,जिन लोगो को गुनाहों की खूब आदत हो जाती है उनको गुनाहों का चस्का पड़ जाता है,शैतान के तरग़ीब के बगैर ही उनकी गाड़ी गुनाहों की पटरी पर चलती रहती है,
➠गुनाह तो इंसान से हो जाता है मगर गुनाह का आदि बनना और इस पर इसरार करना और रमज़ान जैसे महिने में गुनाह करना बहुत ही ज़्यादा खतरनाक है,जहां गुनाह कराने के लिए शैतान के बहकावे कक ज़रूरत न पड़े वहां शरारते नफ़्स का क्या हाल होगा?
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *Ramzan aur Tahajjud _*
┱ _ Ramzan mai Tahajjud padhna Bahut Asaan ho Jata hai Kyunki Tahajjud ke Waqt Sehri Khane ke liye uthte hi hai’n ,Sehri Khane se pehle ya Baad mai ( jab Tak Subeh saadiq na ho ) Jis qadar Mumkin ho sake Nawafil padh liya Kare , is tarah poore Ramazan mai Tahajjud Naseeb ho sakti Hai, Fir aadat pad Jaye to Baad mai bhi Amal Jaari Reh Sakta Hai Varna Kam az Kam Ramzan mai to Tahajjud Ka ahatmaam Kar hi le ,
*┱✿ Roza Aftaar karana _,*
┱_ Farmaya Khatimul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne k Jisne Rozadaar ka Roza khulwaya ya Mujahid ko Samaan de diya to usko Rozadaar aur gaazi Jesa ajr milega , *( Bayhiqi Fi Shoebul imaan An Zaid ibne Khalid Raz.)*
“__ http://www.haqqkadaayi.com/2016/05/ranzan-fazail-v-masail.html?m=0
*👆🏻Majeed Faza’il v Masa’il Yaha’n Dekhiye ,**
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *रमज़ान और तहज्जुद*
➠ रमज़ान में तहज्जुद पढ़ना बहुत आसान हो जाता है क्योंकि तहज्जुद के वक़्त सहरी खाने के लिए उठते ही हैं,सहरी खाने से पहले या बाद में (जब तक सुबह सादिक़ न हो)जिस क़दर मुमकिन हो सके नवाफिल पढ़ लिया करें,इस तरह पूरे रमज़ान में तहज्जुद नसीब हो सकती है,फिर आदत बन जाए तो बाद में भी अमल जारी रह सकता है,वरना रमज़ान में तो तहज्जुद का एहतेमाम कर ही ले,
✿●•· *रोज़ा इफ्तार कराना*
➠ फरमाया ख़ातिमूल अम्बिया सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने की जिसने रोज़ेदार का रोज़ा खुलवाया या मुजाहिद को समान दे दिया तो उसको रोज़ेदार और गाज़ी जैसा अजर मिलेगा,
*( बहीक़ी फि शोबुल ईमान अन ज़ैद इब्ने खालिद रज़ि.)*
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *Ramzan Aur Sakhawat_*
┱ _ Ramzanul Mubarak Sakhwat Ka Mahina bhi hai , isme Jis qadar Fi sabilillaah kharch Kiya Jaye Kam hai , Kyunki ye Mahina Akhirat ki Kamaa’i Ka Mahina hai, isme Roza aftaar karane aur Roza kholne Ke Baad Rozadaar ko Pet bhar khana khilane ki bhi Khaas Fazilat waarid Hui Hai , aur is Maah ko Gamkhwari Ka Mahina farmaya hai , Jesa k Khutbe mai Guzar Chula , Gareebo ki imdaad v i’anat is Maah ke kaamo mai ek Aham Kaam hai ,
┱_ Ek Hadees Paak mai irshad farmaya :- Jab Ramzan Ka Mahina aa Jata tha to Hazrat Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam har qaidi ko azaad farma dete they aur har Saa’il ko ata farmate they _,”
*🗂 Mishkaat Sharif _,”*
┱_ Ek Hadees Paak mai irshad farmaya :- Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Sab logo se zyada sakhi they aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sakhawat Ramzanul Mubarak mai Tamaam ayyaam se zyada ho jati thi , Ramzan mai har Raat ko Hazrat Jibraiyl Alaihissalam Aap Sallallahu Alaihivasallam se mulaqaat karte they ( aur ) Aap Sallallahu Alaihivasallam unko Qur’an Sharif sunate they, Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam se Jibraiyl Alaihissalam mulaqaat karte they to Aap Sallallahu Alaihivasallam us Hawa se bhi zyada Sakhi ho Jate they Jo Baarish lati hai _,”
*🗂 Muttafiq Alayhi _,”*
“__ http://www.haqqkadaayi.com/2016/05/ranzan-fazail-v-masail.html?m=0
*👆🏻Majeed Faza’il v Masa’il Yaha’n Dekhiye ,**
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *रमज़ान और सखावत*
➠रमज़ानुल मुबारक सखावत का महीना भी है,इसमें जिस कदर फि सबिलिल्लाह किया जाए कम है,क्युकी ये महीना आख़िरत की कमाई का महीना है,इसमें रोज़ा इफ्तार कराने और रोज़ा खोलने के बाद रोज़ेदार को पेट भर खाना खिलाने की भी खास फज़ीलत वारिद हुई है,और इस माह को गमख्वारी का महीना फरमाया है,जैसा कि खुतबे में गुज़र चुका,गरीबो की इमदाद व इनायत इस माह के कामो में एक अहम काम है,एक हदीस पाक में इरशाद फरमाया:-जब रमज़ान का महीना आ जाता था तो हज़रत रसूले अकरम सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम हर कैदी को आज़ाद फर्मा देते थे,और हर साइल को अता फर्मा देते थे, *( मिशकात शरीफ)*
➠एक हदीस पाक में इरशाद फरमाया:-हुज़ूर अकरम सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम सब लोगों से ज़्यादा सखी थे और आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम की सखावत रमज़ानुल मुबारक में तमाम अय्याम से ज़्यादा हो जाती थी,रमज़ान में हर रात को हज़रत जिब्राइल अलैहिस्सलाम आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम से मुलाक़ात करते थे,और आप सल्लअल्लाहू उनको क़ुरआन शरीफ सुनाते थे,जब आप सल्लअल्लाहू अलैहि से जिब्राइल अलैहिस्सलाम मुलाक़ात करते थे तो आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम उस हवा से भी ज़्यादा सखी हो जाते थे जो बारिश लाती है;-
*( मुत्तफिक़ अलैहि )*
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *Sahri Khaana _*
┱ _ Farmaya Nabi Mukarram Sallallahu Alaihivasallam ne k Sehri Khaya Karo , Kyunki Sehri mai Barkat hai _,” *( Bukhari v Muslim An Anas )*
┱_ Aur ye bhi farmaya k hamare aur Ahle Kitaab ke Rozo mai Sehri Khane Ka Farq hai _,” *( Muslim An Amro bin Aas Raz.)*
┱_ Aur Ek Hadees mai Hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Sehri Khane walo per Khuda aur Uske Farishte Rehmat bhejte hai’n _,” *( Tabrani An ibne Umar Raz.)*
*┱✿ Roze mai Bhool kar Khaa Pi Lena _,*
┱ _ Farmaya Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne k Jo Shakhs Roze mai Bhool Kar Khaa Pi le to Wo Roza poora Kar le , Kyunki ( uska qusoor nahi ) use Allah ne khilaya aur Pilaya _,” *( Bukhari v Muslim An Abi Huraira Raz. )*
*┱✿ Aftaar mai Jaldi Karna _,*
┱ _ Farmaya Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne k – log Hamesha khayr per rahenge Jab Tak Aftaar mai Jaldi karte rahenge Yani guroob aftaab Hote hi foran Roza khol liya Kare _,” *( Bukhari v Muslim An Sahal Raz.)*
“┱_Aur farmaya Rehmate Kaaynaat Sallallahu Alaihivasallam ne k Allah Ta’ala farmate hai’n k Bando mai mujhe Sabse Zyada pyaara Wo hai Jo Aftaar mai Sabse Zyada Jaldi karne wala hai , Yani guroob aftaab Hote hi foran aftaar karta Hai aur use isme Jaldi Ka khoob ahatmaam rehta Hai _,” *( Tirmizi an Abi Huraira Raz. )*
┱_ Aur Farmaya Sayyadul Konain Sallallahu Alaihivasallam ne k Jab idhar se ( Yani Mashrik se ) Raat aa gayi aur udhar se ( Yani Magrib se ) din Chala gaya to Roza aftaar karne Ka Waqt ho gaya ( aage intezar Karna fizool hai balki makrooh hai ) , *( Muslim An Amro bin Aas Raz. )*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *सेहरी खाना_*
➠फरमाया नबी करीम सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने की सहरी खाया करो,क्योंकि सेहरी में बरकत है.. *( बुखारी व मुस्लिम अन अनस रज़ियल्लाहु अन्हु)*
➠और ये भी फरमाया की हमारे और अहले किताब के रोज़ो में सेहरी खाने का फर्क है.. *( मुस्लिम अन अमरु बिन आस रज़ियल्लाहु अन्हु)*
➠और एक हदीस में हैं कि नबी करीम सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया की सहरी खाने वालों पर ख़ुदा और उसके फरिश्ते रहमत भेजते हैं,, *(तबरानी अन इब्ने उमर रजियल्लाहु अन्हु )*
*✿●•·_ रोज़े में भूल कर खा पी लेना_*
➠फरमाया रहमतुल लील आलमीन सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने की जो शख्स रोज़े में भूल कर खा पी ले तो वो रोज़ा पूरा कर ले ,क्योंकि उसका कसूर नही उसे अल्लाह ने खिलाया और पिलाया,, *( बुखारी व मुस्लिम अन अबी हुरैरा रजियल्लाहु अन्हु)*
*✿●•· __अफ्तार में जल्दी करना_*
➠फरमाया नबी करीम सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने की लोग हमेशा खैर पर रहेंगे जब तक अफ्तार में जल्दी करते रहेंगे यानी गुरूबे आफताब होते ही फौरन रोज़ा खोल लिया करे,, *( बुखारी व मुस्लिम अन सहल रज़ियल्लाहु अन्हु)*
➠और फरमाया रहमते कायनात सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने की अल्लाह ताला फरमाते हैं की बन्दों में मुझे सबसे ज़्यादा प्यारा वो है जो अफ्तार में सबसे ज़्यादा जल्दी करने वाला है,यानी गुरूबे आफताब होते ही फौरन अफ्तार करता है और इसमें जल्दी का खूब एहतेमाम रहता है,,, *( तिरमिज़ी अन अबी हुरैरा रजियल्लाहु अन्हु)*
➠और फरमाया सय्यदुल कुनैन सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने की जब इधर से (यानी मशरिक से)रात आ गई और उधर से (यानी मग़रिब से)दिन चला गया तो रोज़ा अफ्तार करने का वक़्त हो गया (आगे इंतज़ार करना फ़िज़ूल है बल्कि मकरूह है)
*( मुस्लिम अन अमरु बिन आस रज़ियल्लाहु अन्हु)*
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *Khajoor aur Paani Se Aftaar_*
┱ _ Farmaya Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne k jab tum Roza kholne Lago to Khajooro se aftaar Karo , Kyunki Khajoor sarapa Barkat hai , Agar Khajoor na mile to Paani se Roza khol lo , Kyunki wo ( zaahir v Baatin ko ) Paak karne Wala hai _,” *( Tirmizi an Salman bin Aamir Raz.)*
*┱✿ Roza Jism Ki Zakkat Hai _,*
┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k farmaya Khatimul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne k har Cheez ki Zakaat hoti Hai aur Jism ki Zakaat Roza hai _,” *( ibne Maaja an Abi Huraira Raz. )*
*┱✿ Sardi mai Roza _,”*
┱_ Hazrat Aamir Bin Masoud Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k farmaya Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne k Mausam Sarma mai Roza rakhna muft Ka Sawab hai , *( Tirmizi )* Muft Ka sawab isliye farmaya k isme Pyaas nahi lagti aur Din bhi Chhota hota Hai ,
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *खजूर और पानी से अफ्तार*
➠फरमाया रसूले अकरम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने की जब तुम रोज़ा खोलने लगो तो खजूरों से अफ्तार करो,क्योंकि खजूर सरापा बरकत है,अगर खजूर न मिले तो पानी से रोज़ा खोल लो,क्योंकि वो (ज़ाहिर और बातिन)को पाक करने वाला है,, *( तिरमिज़ी अन सलमान बिन आमिर रज़ियल्लाहु अन्हु)*
*✿●•·रोज़ा जिस्म की ज़कात है*
➠हज़रत अबू हुरैराह रज़ियल्लाहु अन्हु से रिवायात है कि फरमाया ख़ातिमूल अम्बिया सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम ने की हर चीज़ की ज़कात होती हैऔर जिस्म की ज़कात रोज़ा है,, *( इब्ने माजा अन अबी हुरैरा रजियल्लाहु अन्हु)*
*✿●•·सर्दी में रोज़ा*
➠हज़रत आमिर बिन मसूद रज़ियल्लाहु अन्हु से रिवायात है कि फरमाया सरवरे आलम सल्लल्लाहू अलैहि वसल्लम ने की मौसम सरमा में रोज़ा रखना मुफ्त का सवाब है, (तिर्मिज़ी)मुफ्त का सवाब इसीलिए फरमाया की इसमें प्यास नही लगती और दिन भी छोटा होता है,,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *Janabat Roze ke Munafi nahi_*
┱ _ Farmaya Ayesha Raziyallahu Anha ne k Ramzanul Mubarak mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko ba Haalate Janabat Subeh ho jati thi aur Ye Janabat Ahatlaam ki nahi ( balki Biviyo’n ke Saath mubashrat karne ki vajah se hoti thi ) Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam Gusl farma Kar Roza rakhte they _,” *( Bukhari v Muslim )*
“__ Matlab ye hai k Subeh Saadiq se pehle Gusl nahi farmaya aur Roze ki Niyat kar li ,fir Tulu Aftaab se pehle Gusl farma Kar Namaz padh li , is tarah Roze Ka kuchh hissa Haalate Janabat mai guzra , isliye k Roza bilkul ibtida e Subeh saadiq se Shuru ho jata Hai , isi tarah agar Roze mai Ahatlaam ho Jaye to bhi Roza faasid nahi hota Kyunki Janabat Roza ke munafi nahi hai ,
*┱✿ Roze mai Miswaak Karna _*
┱ _ Farmaya Hazrat Aamir Bin Rabi’a Raziyallahu Anhu ne k Maine Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam ko ba Haalate Roza itni baar Miswaak karte hue dekha hai k Jiska mai Shumaar nahi Kar Sakta _,” *( Tirmizi )*
┱_ Miswaak tar ho ya khushk Roze mai har Waqt Kar sakte hai’n , Albatta Manjan ,Tooth Powder , Toothpaste ya Koyla vagera se Roze mai Daant Saaf Karna makrooh hai ,
*┱✿ Roze mai Surma Lagana _,”*
┱_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Ek Shakhs ne arz Kiya Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Meri Aankh mai Takleef hai ,Kya Mai’n Roze mai Surma laga Lu ? Farmaya – Laga lo _,” *( Tirmizi )*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·जनाबत रोज़े के मनाफि नही_,*
➠फरमाया आएशा रज़ियल्लाहु अन्हा ने की रमज़ानुल मुबारक में हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम को बा हालाते जनाबत सुबह हो जाती थी और ये जनाबत अहतेलाम की नही(बल्कि बीवियों के साथ मुबाशरत करने की वजह से होती थी)फिर आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ग़ुस्ल फर्मा कर रोज़ा रखते थे,, *( बुखारी व मुस्लिम )*
➠मतलब ये है कि सुबह सादिक़ से पहले ग़ुस्ल नही फरमाया और रोज़े की नीयत कर ली,फिर तुलू आफताब से पहले ग़ुस्ल फर्मा कर नामाज़ पढ़ ली,इस तरह रोज़े का कुछ हिस्सा हालाते जनाबत में गुजरा,इसीलिए की रोज़ा बिल्कुल इब्तिदा ए सुबह सादिक़ से शुरू हो जाता है,इसी तरह अगर रोज़े में अहतेलाम हो जाए तो भी रोज़ा फ़ासिद नही होता क्योंकि जनाबत रोज़ा के मनाफि नही है,
*★_ रोज़े में मिस्वाक करना_,*
➠फरमाया हज़रत आमिर बिन राबिया रज़ियल्लाहु अन्हु ने की मैंने रसूले खुदा सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम को बा हालाते रोज़ा इतनी बार मिस्वाक करते हुए देखा है कि जिसका मैं शुमार नही कर सकता,, *( तिरमिज़ी )*
➠मिस्वाक तर हो या खुश्क रोज़े में हर वक़्त कर सकते हैं,अलबत्ता मंजन,टूथ पावडर या कोयला वगैरह से रोज़े में दांत साफ करना मकरूह है,,
*★__रोज़े में सुरमा लगाना _*
➠हज़रत अनस रज़ियल्लाहु अन्हु से रिवायात है कि एक शख्स ने अर्ज़ किया या रसूलुल्लाह सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम !मेरी आँख में तकलीफ है ,क्या मैं रोज़े में सुरमा लगा लू?फरमाया लगा लो । *( तिरमिज़ी )*
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *Ramzan Ke Aakhri Ashre mai ibaadat Ka Khaas Ahatmaam Kiya Jaye _,*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Rivayat farmati hai’n k Jab Ramzan Ka Aakhri Ashra aata Tha to Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Apne Tehband ko Mazboot baandh lete they aur Raat bhar ibaadat karte they aur Apne Ghar walo ko (bhi ibaadat Ke Liye ) jagaate they _,”
*🗂 Mishkaat Sharif-182 Az Bukhari v Muslim,*
┱_ Ek Hadees mai Hai k Mehboob Rabbul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke Aakhri Das Dino ke andar Jitni Mehnat se ibaadat karte they Iske alawa doosre ayyaam mai itni Mehnat na karte they , *( Muslim An Ayesha Raz.)*
┱_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne ye Jo farmaya k RamZan ke Aakhri Ashre mai Aap Tehband kas lete they, Ulma ne iske do Matlab bataye hai’n,ek ye k Khoob Mehnat aur koshish se ibaadat karte they aur Raato Raat jaagte they, Ye Esa hi hai Jese muhawre mai Mehnat ke Kaam ke liye bola Jata hai k ” Khoob kamar kas lo ” aur Doosra Matlab Tehband kas Kar baandhne Ka ye bataya k Raat ko Biviyo’n ke paas letne se door rehte they, Kyunki Saari Raat ibaadat mai guzar jati thi aur Aitkaaf bhi hota Tha , isliye Ramzan ke Aakhri Ashre mai Miya’n Bivi wale Khaas Talluq Ka moqa nahi lagta tha ,
┱ _Hadees ke Aakhir mai farmaya k RamZan ke Aakhir Ashre mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam khud bhi bahut Mehnat aur koshish se ibaadat karte they aur Ghar walo ko bhi is maqsad ke liye jagate they, Baat ye hai k Jise Akhirat Ka Khayal ho ,Maut ke Baad ke Halaat Ka Yaqeen ho ,Ajro sawab ke lene Ka lalach ho wo Kyu na Mehnat aur koshish se ibaadat mai lagega ,fir Jo Apne liye pasand Kare Wahi Ahlo Ayaal ke liye bhi pasand Karna chahiye ,
┱ _Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Raato ko Namazo ke andar itna Qiyaam farmate they k qadmo Mubarak per Varam aa Jata tha , Fir Ramzan ke andar Khususan Akhir Ashre mai to aur zyada ibaadat badha dete they Kyunki ye Mahina aur Khaas Kar Akhir Ashr Aakhirat ki kamayi Ka Khaas moqa hai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ki koshish hoti thi k Ghar wale bhi ibaadat mai lage rahe , Lihaza Unko bhi jagate they ,*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *रमज़ान के आखरी अशरे में इबादत का खास एहतेमाम किया जाए*
➠ हज़रत आएशा रज़ियल्लाहु अन्हा रिवायात फरमाती हैं कि जब रमज़ान का आखरी अशरा आता था तो हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम अपने तहबन्द को मज़बूत बांध लेते थे,और रात भर इबादत करते थेऔर अपने घरवालों को भी इबादत के लिए जगाते थे,,
*( मिशकात शरीफ-१८२ अज़ बुखारी व मुस्लिम )*
➠एक हदीस में है कि महबूब रब्बुल आलमीन सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम रमज़ान के आखरी 10 दिनों के अंदर जितनी मेहनत से इबादत करते थे इसके अलावा दूसरे अय्याम में इतनी इबादत नही करते थे,, *( मुस्लिम अन आएशा रज़ि)*
➠हज़रत आएशा रज़ियल्लाहु अन्हा ने ये जो फरमाया के रमज़ान के आखरी अशरे में अपनी तहबन्द कस लेते थे,उलमा ने इसके दो मतलब बताए हैं,एक ये की खूब मेहनत और कोशिश से इबादत करते थे और रातों रात जागते थे,ये ऐसा ही है जैसे मुहावरे में मेहनत के काम के लिए बोला जाता है कि "खूब कमर कस लो"और दूसरा मतलब तहबन्द कस कर बांधने का ये बतलाया कि रात को बीवियों के पास लेटने से दूर रहते थे,क्योंकि सारी रात इबादत में गुज़र जाती थीऔर एतिकाफ भी होता था,इसीलिए रमज़ान के आखरी अशरे में मियां बीवी वाले खास ताल्लुक़ का मौका नही लगता था,
➠हदीस के आखरी में फरमाया की रमज़ान के आखिर अशरे में हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम खुद भी बहुत मेहनत और कोशिश से इबादत करते थे और घर वालों को भी इस मकसद के लिए जगाते थे ,बात ये है कि जिसे आख़िरत का खयाल हो,मौत के बाद के हालात का यकीन हो,अजरो सवाब के लेने का लालच हो वो क्यों न मेहनत और कोशिश से इबादत में लगेगा ,फिर जो अपने लिए पसंद करे वही अहलो अयाल के लिए भी पसंद करना चाहिए,
➠ हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम रातों को नमाज़ों के अंदर क़याम फरमाते थे कि क़दमो मुबारक पर वरम आ जाता था,फिर रमज़ान के अंदर ख़ुसूसन आखिर अशरे में तो और ज़्यादा इबादत बढ़ा देते थे क्योंकि ये महीना और खास कर आखिर अशरा आख़िरत की कमाई का खास मौका है,आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम की कोशिश होती थी कि घर वाले भी इबादत में लगे रहे ,लिहाज़ा उनको भी जगाते थे,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *┱✿ Shabe Qadr Aur Uski Dua _*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai’n k Mai’ne arz Kiya- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Irshad farmaiye k agar mujhe pata chal Jaye k Fala Raat ko Shabe Qadr hai to Mai’n Kya Dua karu’n ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Ye Dua Karo –
*””اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي_,*
*Allahumma innaka Afuwwu Tuhibbul Afwa Fa’afu Anni ,*
( Ey Allah ! Aap bahut maaf farmane wale hai’n isliye mujhe bakhsh dijiye ),”
*🗂 Mishkaat Sharif-182 Az Ahmad v ibne Maaja v Tirmizi ,*
┱_ Dekhiye kesi Dua irshad farmayi ,na zar maangne ko bataya na Zameen,na dhan na Daulat,Kya maanga Jaye ? Maafi ! Baat Asal ye hai k Aakhirat Ka Maamla Sabse Zyada mushkil hai , Waha’n Allah ke maaf farmane se Kaam chalega ,agar maafi na Hui aur Khuda na khwasta azaab mai girftaar hue to Duniya ki har Ni’amat aur lazzat aur Daulat v Sarwat bekaar hogi ,Asal Cheez Magfirat hai ,
┱_ Ek Hadees mai irshad farmaya-
“__Jo Shakhs Laylatul Qadr mai imaan ke Saath aur Sawab ki Niyat se ( ibaadat Ke Liye ) khada raha Uske Pichhle Tamaam Gunaah Maaf Kar diye jayenge _,” *( Bukhari v Muslim )*
“__ http://www.haqqkadaayi.com/2016/05/ranzan-fazail-v-masail.html?m=0
*👆🏻Majeed Faza’il v Masa’il Yaha’n Dekhiye ,**
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *शबे क़द्र और उसकी दुआ*
➠हज़रत आएशा रज़ियल्लाहु अन्हा फरमाती है कि मैंने अर्ज़ किया या रसूलुल्लाह सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ! इरशाद फरमाइए की अगर मुझे पता चल जाए कि फला रात को शबे क़द्र है तो मैं क्या दुआ करूँ?
आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया की ये दुआ करो--
*अल्लाहुम्मा इन्नका अफुव्वु तुहीब्बुल अफवा फ'अफु अन्नी*
*( मिशकात शरीफ -१८२, अज अहमद व तिर्मीजी )*
(ऐ अल्लाह! आप बहुत माफ फरमाने वाले है इसीलिए मुझे बख्श दीजिए)
➠ देखिए कैसी दुआ इरशाद फरमाई ,न ज़र मांगने को बताया न ज़मीन ,न धन न दौलत,क्या मांगा जाए? माफी!बात असल ये है कि आख़िरत का मामला सबसे ज़्यादा मुश्किल है,वहां अल्लाह के माफ फरमाने से काम चलेगा ,अगर माफी न हुई और खुदा ने ख़्वास्ता अज़ाब में गिरफ्तार हुए तो दुनिया की हर नियामत और लज़्ज़त और दौलत व सरवत बेकार होगी ,असल चीज़ मगफिरत है,
➠एक हदीस में इरशाद फरमाया- जो शख्स लयतुल क़दर में ईमान के साथ और सवाब की नीयत से (इबादत के लिए)खड़ा रहा उसके पिछले तमाम गुनाह माफ कर दिए जाएंगे,, *( बुखारी व मुस्लिम )*
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *Shabe Qadr Ki Tareekhe_*
┱ _ Shabe Qadr ke bare mai Hadeeso mai Waarid hua hai k RamZan ke Aakhri Ashre ki Taaq Raato mai talash Karo , Lihaza Ramzan ki 21- 23-25-27-29 vi Raat ko Jaagne aur ibaadat karne Ka Khaas Ahatmaam Kare , Khususan 27 vi Shab ko to zaroor Jaage , Kyunki is Din Shabe Qadr hone ki zyada Ummeed hoti Hai ,
┱_ Hazrat Ubaada Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ek Din isliye Baahar tashreef laye k Hume Shabe Qadr ki ittela farma de’n ,Magar Do Musalmano mai Jhagda ho raha tha , Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Mai’n isliye aaya tha k Tumhe Shabe Qadr ki ittela du’n , Magar fala Fala Shakhso mai Jhagda ho raha tha Jiski vajah se iski Taiyn mere zahan se utha li gayi , Kya Baiyd hai k ye utha Lena Allah ke ilm mai behtar ho _,” *( Bukhari )*
┱_ Is Mubarak Hadees se maloom hua k Aapas Ka Jhagda is qadar bura Amal hai k iski vajah se Allah Ta’ala ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Qalbe Mubarak se Shabe Qadr ki Taiyn utha li , Yani Kis Raat ko Shabe Qadr hai Makhsoos Kar ke iska ilm Jo de diya gaya Tha , Wo Qalb se utha liya gaya , Agarche Baaz vajaho se isme bhi Ummat Ka Faayda ho gaya , Jesa k in Sha Allah Ta’ala hum abhi zikr karenge Lekin Sabab Aapas Ka jhagda ban gaya Jisse Aapas mai jhagde ki mazammat Ka pata Chala ,
“__ http://www.haqqkadaayi.com/2016/05/ranzan-fazail-v-masail.html?m=0
*👆🏻Majeed Faza’il v Masa’il Yaha’n Dekhiye ,**
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *शबे क़दर की तारीखें*
➠ शबे क़दर के बारे में हदीसों में वारिद हुआ है कि रमज़ान के आखरी अशरे की ताक रातों में तलाश करो,लिहाज़ा रमज़ान की 21-23-25-27-29 वी रात को जागने और इबादत करने का खास एहतेमाम करें,ख़ुसूसन 27वी शब को तो ज़रूर जागे,क्योंकि इस दिन शबे क़द्र होनेकी ज़्यादा उम्मीद होती है,
➠हज़रत उबादा रज़ियल्लाहु अन्हु फरमाते हैं कि नबी करीम सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम एक दिन इसीलिए बाहर तशरीफ़ लाए की हमे शबे क़द्र की इत्तेला फर्मा दें,मगर दो मुसलमानों में झगड़ा हो रहा था,आप हज़रत सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया की मैं इसीलिए आया था कि तुम्हे शबे क़द्र की इत्तेला दूं, मगर फला फला शख्सों में झगड़ा हो रहा था जिसकी वजह से इसकी तैयन मेरे ज़हन से उठा ली गई,क्या बयद है कि ये उठा लेना अल्लाह के इल्म में बेहतर हो,, *( बुखारी )*
➠इस मुबारक हदीस से मालूम हुआ कि आपस का झगड़ा इस क़दर बुरा अमल है की इसकी वजह से अल्लाह ताला ने नबी करीम सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम के क़ल्बमुबारक से शबे क़दर की तैयन उठा ली ,यानी किस रात को शबे क़दर है मख़सूस कर के इसका इल्म जो दे दिया गया था,वो क़ल्ब से उठा लिया गया,अगरचे बाज़ वजहों से इसमेंभी उम्मत का फायदा हो गया,जैसा कि इन शाल्लाह हम भी ज़िक्र करेंगे लेकिन सबब आपस का झगड़ा बन गया जिससे आपस मे झगड़े की मज़म्मत का पता चला,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
✿●•· *_ Shabe Qadr Ki Fazilat_*
┱ _ Ramzanul Mubarak Ka poora Mahina Akhirat ki Daulat kamane Ka hai fir is Maah mai Aakhiri Ashra aur bhi zyada Mehnat aur koshish se ibaadat mai lagne Ka hai , is Ashre mai Shabe Qadr hoti Hai Jo badi ba Barkat Raat hai ,
┱_ Allah Ta’ala Ka irahad hai – Shabe Qadr Hazaar mahino se Behtar hai _,” _ Hazraar Mahine ke 83 Saal aur 4 Mahine Hote hai’n, Fir Shabe Qadr ko Hazaar Mahine ke barabar nahi bataya balki Hazaar Mahine se behtar bataya , Momin Bande ke liye Shabe Qadr Bahut hi Khayro Barkat ki Cheez hai ,Ek Raat jaag kar ibaadat kar le aur Hazaar Mahino se zyada ibaadat Ka sawab pa le ,isse badh Kar aur Kya chahiye ? Isliye to Hadees Sharif mai farmaya –
“_ Jo Shakhs Shabe Qadr se mehroom ho gaya ( Goya ) poori bhala’i se mehroom ho gaya , aur Shabe Qadr ki Khayr se Wahi mehroom hota Hai Jo Kaamil mehroom ho _,” *( ibne Maaja )*
┱_ Matlab ye hai k Chand ghante ki Raat hoti hai aur isme ibaadat kar lene se Hazaar Mahine se zyada ibaadat Ka sawab milta hai , Chand ghante Nafs ko samjha bujha Kar ibaadat Kar Lena Koi Esi takleef nahi Jo bardasht se bahar ho , takleef Zara si aur sawab Bahut bada ,
┱ _Pehli Ummato ki Umar zyada hoti thi ,is Ummat ki Umar Bahut se Bahut 70-80 saal hoti Hai , Allah Ta’ala ne ye ahsaan farmaya k Hume Shabe Qadr ata farma di aur Ek Shabe Qadr ki ibaadat Ka darja Hazaar mahino ki ibaadat se zyada Kar diya , Mehnat Kam Hui ,Waqt bhi Kam laga aur Badi Badi Umar Wali Ummato se badh Gaye , Allah Ta’ala Ka Fazal v inaam hai k is Ummat ko Sabse Zyada nawaza , Ab ye kesi nadaani hogi k Allah ki nawazish ho aur hum gaflat mai pade sote rahe , Ramzan Ka Koi lamha Zaaya na hone do , Khususan Akhir Ashre mai ibaadat Ka Khaas Ahatmaam Karo , aur usme bhi Shabe Qadr mai jaagne ki Bahut zyada fikr Karo , Bachcho ko bhi targeeb do ,
“__ http://www.haqqkadaayi.com/2016/05/ranzan-fazail-v-masail.html?m=0
*👆🏻Majeed Faza’il v Masa’il Yaha’n Dekhiye ,*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *_शबे क़दर की फ़ज़ीलत*
➠रमज़ानुल मुबारक का पूरा महीना आख़िरत की दौलत कमाने का है फिर इस माह में आखरी अशरा और भी ज़्यादा मेहनत और कोशिश से इबादत करने का है,इस अशरे में शबे क़दर होती है जो बड़ी बा बरकत रात है,
➠अल्लाह ताला का इरशाद है-शबे क़दर हज़ार महीनों से बेहतर है,,
➠हज़ार महीने के 83 साल और 4 महीने होते हैं,फिर शबे क़दर को हज़ार महीने के बराबर नही बताया बल्कि हज़ार महीने से बेहतर बताया,मोमिन बंदे के लिए शबे क़दर बहुत ही खैरो बरकत की चीज़ है,एक रात जाग कर इबादत कर ले और हज़ार महीनों से ज़्यादा इबादत का सवाब पा ले,इससे बढ़कर और क्या चाहिए?इसीलिए तो हदीस शरीफ में फरमाया-
"_जो शख्स शबे क़दर से महरूम हो गया(गोया)पूरी भलाई से महरूम हो गया,और शबे क़दर की भलाई से वही महरूम होता है जो कामिल महरूम हो,, *( तिरमिज़ी )*
➠ मतलब ये है कि चंद घंटे की रात होती है और इसमें इबादत कर लेने से हज़ार महीने से ज़ायद इबादत का सवाब मिलता है,चंद घंटे नफ़्स को समझा बुझा के इबादत कर लेना कोई ऐसी तकलीफ नही जो बर्दाश्त से बाहर हो,तकलीफ ज़रा सी और सवाब बहुत बड़ा,
➠पहली उम्मतों की उम्र ज़्यादा होती थी,इस उम्मत की उम्र बहुत से बहुत 70-80साल होती है,अल्लाह ताला ने ये एहसान फरमाया की हमे शबे क़दर अता फर्मा दी और एक शबे क़दर की इबादत का दर्जा हज़ार महीनों की इबादत से ज़्यादा कर दिया,मेहनत कम हुई और वक़्त भी कम लगा,और बड़ी बड़ी उम्र वाली उम्मतों से आगे बढ़ गए,अल्लाह ताला का फ़ज़ल और इनाम है कि इस उम्मत को सबसे ज़्यादा नवाज़ा ,अब ये कैसी नादानी होगी कि अल्लाह की नवाजिश हो और हम गफलत में पड़े सोते रहे,रमज़ान का कोई लम्हा जाया न होने दो,ख़ुसूसन आखरी अशरे में इबादत का खास एहतेमाम करो,और उसमें भी शबे क़दर में जागने की बहुत ज़्यादा फ़िकर करो,बच्चों को भी तरग़ीब दो,
▔▔▔▔▔
✿●•· *Shabe Qadr Ki Tareekhe_*
┱ _ Shabe Qadr ke bare mai Hadeeso mai Waarid hua hai k RamZan ke Aakhri Ashre ki Taaq Raato mai talash Karo , Lihaza Ramzan ki 21- 23-25-27-29 vi Raat ko Jaagne aur ibaadat karne Ka Khaas Ahatmaam Kare , Khususan 27 vi Shab ko to zaroor Jaage , Kyunki is Din Shabe Qadr hone ki zyada Ummeed hoti Hai ,
┱_ Hazrat Ubaada Raziyallahu Anhu farmate hai’n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ek Din isliye Baahar tashreef laye k Hume Shabe Qadr ki ittela farma de’n ,Magar Do Musalmano mai Jhagda ho raha tha , Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Mai’n isliye aaya tha k Tumhe Shabe Qadr ki ittela du’n , Magar fala Fala Shakhso mai Jhagda ho raha tha Jiski vajah se iski Taiyn mere zahan se utha li gayi , Kya Baiyd hai k ye utha Lena Allah ke ilm mai behtar ho _,” *( Bukhari )*
┱_ Is Mubarak Hadees se maloom hua k Aapas Ka Jhagda is qadar bura Amal hai k iski vajah se Allah Ta’ala ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Qalbe Mubarak se Shabe Qadr ki Taiyn utha li , Yani Kis Raat ko Shabe Qadr hai Makhsoos Kar ke iska ilm Jo de diya gaya Tha , Wo Qalb se utha liya gaya , Agarche Baaz vajaho se isme bhi Ummat Ka Faayda ho gaya , Jesa k in Sha Allah Ta’ala hum abhi zikr karenge Lekin Sabab Aapas Ka jhagda ban gaya Jisse Aapas mai jhagde ki mazammat Ka pata Chala ,
“__ http://www.haqqkadaayi.com/2016/05/ranzan-fazail-v-masail.html?m=0
*👆🏻Majeed Faza’il v Masa’il Yaha’n Dekhiye ,**
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *शबे क़दर की तारीखें*
➠ शबे क़दर के बारे में हदीसों में वारिद हुआ है कि रमज़ान के आखरी अशरे की ताक रातों में तलाश करो,लिहाज़ा रमज़ान की 21-23-25-27-29 वी रात को जागने और इबादत करने का खास एहतेमाम करें,ख़ुसूसन 27वी शब को तो ज़रूर जागे,क्योंकि इस दिन शबे क़द्र होनेकी ज़्यादा उम्मीद होती है,
➠हज़रत उबादा रज़ियल्लाहु अन्हु फरमाते हैं कि नबी करीम सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम एक दिन इसीलिए बाहर तशरीफ़ लाए की हमे शबे क़द्र की इत्तेला फर्मा दें,मगर दो मुसलमानों में झगड़ा हो रहा था,आप हज़रत सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया की मैं इसीलिए आया था कि तुम्हे शबे क़द्र की इत्तेला दूं, मगर फला फला शख्सों में झगड़ा हो रहा था जिसकी वजह से इसकी तैयन मेरे ज़हन से उठा ली गई,क्या बयद है कि ये उठा लेना अल्लाह के इल्म में बेहतर हो,, *( बुखारी )*
➠इस मुबारक हदीस से मालूम हुआ कि आपस का झगड़ा इस क़दर बुरा अमल है की इसकी वजह से अल्लाह ताला ने नबी करीम सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम के क़ल्बमुबारक से शबे क़दर की तैयन उठा ली ,यानी किस रात को शबे क़दर है मख़सूस कर के इसका इल्म जो दे दिया गया था,वो क़ल्ब से उठा लिया गया,अगरचे बाज़ वजहों से इसमेंभी उम्मत का फायदा हो गया,जैसा कि इन शाल्लाह हम भी ज़िक्र करेंगे लेकिन सबब आपस का झगड़ा बन गया जिससे आपस मे झगड़े की मज़म्मत का पता चला,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
✿●•· *Ramzan ke Aakhri Ashre mai Aitkaaf _*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Rivayat farmati hai’n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke Aakhri Ashre mai Aitkaaf farmate they, Wafaat hone Tak Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka ye mamool raha , Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Biviya’n Aitkaaf karti thi _,”,
*🗂 Mishkaat Sharif- 183 Az Bukhari v Muslim,*
┱_ Ramzanul Mubarak ki har Ghadi aur minute v second ko ganeemat jaanna chahiye ,Jitna Mumkin ho is Maah mai nek Kaam Kar lo aur Sawab loot lo ,fir Ramzan mai bhi Aakhri Das din ki ahmiyat Bahut zyada hai ,
┱_ Ramzan ke Aakhri Das din ( Ashra Akhira kehlate hai’n ) Unme Aitkaaf bhi Kiya Jata hai , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam har saal inme Aitkaaf farmate they aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Biviya’n bhi Aitkaaf karti thi , Aap Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat ke Baad bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Biviyo’n ne Aitkaaf Ka ahatmaam Kiya ,
┱ _Aitkaaf mai Bahut bada faayda hai, isme insaan yaksu ho Kar Apne Allah se lo lagaye rehta Hai aur Chunki Ramzan ki Aakhri Das raato mai koi na koi Raat shabe qadar bhi hoti Hai, isliye Aitkaaf karne wale ko Umuman Wo bhi Naseeb ho jati hai ,
┱ _Mard Esi Masjid mai Aitkaaf Kare Jisme Paancho waqt Jama’at se namaze hoti ho ,Aur Aurte’n Apne Ghar ki Masjid mai Aitkaaf Kare , Apne Ghar mai Jo jagah Namaz ke liye muqarrar Kar rakhi ho Unke liye Wahi Masjid hai , Aurte’n isme Aitkaaf Kare ,
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·रमज़ान के आखरी अशरे में एतिकाफ_,*
➠हज़रत आएशा रज़ियल्लाहु अन्हा रिवायात फरमाती हैं कि हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम रमज़ान के आखरी अशरे में एतिकाफ फरमाते थे,वफात होने तक आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम का यही मामूल रहा,आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम के बाद आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम की बीवियां एतिकाफ फरमाती थी,,
*( मिशकात शरीफ-१८३ अज़ बुखारी व मुस्लिम )*
➠रमज़ान उल मुबारक की हर घड़ी,हर मिनेट,हर सेकंड को गनीमत जानना चाहिए,जितना मुमकिन हो इस माह में नेक काम कर लो,और सवाब लूट लो,फिर रमज़ान में भी आखरी दस दिन की अहमियत बहुत ज़्यादा है,
➠रमज़ान के आखरी दस दिन (अशरा आखिरा कहलाते हैं) उनमें एतिकाफ भी किया जाता है,हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम हर साल इनमें एतिकाफ फरमाते थे,और आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम की बीवियां भी एतिकाफ करती थी,आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम की बीवियों ने एतिकाफ का एहतेमाम किया ,
➠एतिकाफ में बहुत बड़ा फायदा है,इसमें इंसान यकसु हो कर अल्लाह से लॉ लगाए रहता है और चूंकि रमज़ान की आखरी दस रातों में कोई न कोई रात शबे क़दर भी होती है,इसीलिए एतिकाफ करने वाले को उमूमन वो भी नसीब हो जाती है,मर्द ऐसी मस्जिद में एतिकाफ करे जहां पांचों वक़्त की जमात से नामाज़ होती हो,और औरतें अपनी घर की मस्जिदों में एतिकाफ करे ,अपने घर मे जो जगह नामाज़ के लिए मुक़र्रर कर रखी हो उनके लिए वही मस्जिद है,औरतें इसमें एतिकाफ करे,
▔▔▔▔▔
✿●•· *Aitkaaf – Chand Masa’il_*
┱ _ Ramzan ki Beesvi Tareekh Ka Suraj chhipne se pehle Aitkaaf ki jagah mai dakhil ho Jaye aur Eid Ka Chaand Nazar aane Tak Aitkaaf ki Niyat se Aurte’n ghar ki Masjid mai aur Mard Panj Waqta Namaze Ba Jama’at wali Masjid mai Jam Kar rahe , isko Aitkaaf kehte hai’n , Jam Kar rehne Ka Matlab ye hai k Eid Ka Chaand Nazar aane Tak Masjid hi ki had mai rahe ,Wahi Soye ,Wahi khaye , Qur’an Padhe ,Nifle padhe , Tasbeeh mai mashgool rahe , Jaha’n Tak Mumkin ho Raato ko Jaage aur ibaadat Kare ,Khaas Kar Jin Raato mai Shabe Qadr ki Ummeed ho ,un Raato mai Shab Bedaari Ka Khaas Ahatmaam Kare ,
*┱_ Masla _,* _ Aitkaaf mai Miya’n Bivi ke Khaas Talluqaat wale Kaam Jaa’iz nahi hai , na Raat mai na Din mai , Aur peshaab pakhana ke liye Aitkaaf ki jagah se nikalna durust hai ,
*┱_ Masla_* _ Ye Mash’hoor hai k Jo Aitkaaf mai ho Wo kisi se na bole chale ye Galat hai , balki Aitkaaf mai bolna chaalna Achchhi Baat Karna ,kisi ko nek Baat Bata Dena aur Buraa’i Se rok dena ,Baal Bachcho Naukar Naukraniyo ko Ghar Ka Kaam kaaj Bata dena ye Sab Durust hai , aur Aurat ke liye isme Asaani bhi hai k Apne Ghar ki Masjid mai Aitkaaf ki Niyat se bethi rahe aur Wahi se bethe bethe Ghar Ka Kaam kaaj bhi batati rahe ,
*┱ _Masla _,* _ Agar Aitkaaf mai Aurat ko Maahwaari Shuru ho Jaye to uska Aitkaaf Wahi khatm ho gaya , Ramzan ke Aakhri Ashre ke Aitkaaf mai agar esa ho Jaye to ( Apne ilaaqe ke Ulma Kiraam se Masla maloom karwa Kar ) Qaza kar le ,
┱ _Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai k Aitkaaf Moatkif ko Gunaaho se rokta hai aur Uske Liye un Sab Nekiyo’n Ka sawab ( bhi ) Jaari rehta Hai ( Jinhe Aitkaaf ki vajah se nahi Kar Sakta ) , *( Mishkaatul Masabeh-)*
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·एतकाफ के चंद मसाइल _,*
★_ रमजान की 20वीं तारीख का सूरज छुपने से पहले एतकाफ की जगह में दाखिल हो जाएं और ईद का चांद नजर आने तक एतकाफ की नियत से औरतें घर की मस्जिद में और मर्द पंज वक्ता नमाज बा जमात वाली मस्जिद में जम कर रहे इसी को इतिकाफ कहते हैं । जमकर रहने का मतलब यह है कि ईद का चांद नजर आने तक मस्जिद ही की हद में रहे , वहीं सोएं वहीं खाएं कुरान पढ़े निफले पढ़ें तस्बीहों में मशगूल रहे जहां तक मुमकिन हो रातों को जागे और इबादत करें, खासकर जिन रातों में शबे कद्र की उम्मीद हो उन रातों में शब्बेदारी का एहतमाम करें ।
★_मसला :- एतकाफ में मियां बीवी के खास तालुकात वाले काम जायज़ नहीं है, ना रात में ना दिन में और पैशाब पाखाने के लिए एतकाफ की जगह से निकलना दुरुस्त है।
★_ मसला :- यह जो मशहूर है कि जो एतकाफ में हो वह किसी से ना बोले चाले ,यह गलत है बल्कि एतकाफ में बोलना चालना अच्छी बातें करना किसी को नेक बात बता देना और बुराई से रोक देना , बाल बच्चों और नौकरों व नौकरानियों को घर का कामकाज बता देना सब दुरुस्त है और औरत के लिए इसमें आसानी भी है कि अपने घर की मस्जिद में एतकाफ की नियत से बैठे रहे और वहीं से बैठे-बैठे घर का कामकाज भी बताती रहे ।
★_ मसला - अगर एतकाफ में औरत को माहवारी शुरू हो जाए तो उसका एतकाफ वहीं खत्म हो गया , रमजान के आखिरी अशरे के एतकाफ में अगर ऐसा हो जाए तो ( अपने इलाक़े के किसी आलिम से मसाइल मालूम करके ) कजा़ कर लें ।
★_ हुजूर अकरम सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम का इरशाद है कि एतकाफ मोतकिफ को गुनाहों से रोकता है और उसके लिए उन सब नेकियों का सवाब( भी )जारी रहता है (जिन्हें एतकाफ की वजह से नहीं कर सकता )
*( मिशकातुल मसाबह )*
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
✿●•· *_ Aakhri Raat Mai Bakhshish_*
┱ _ Jis Din Subeh ko Eid Ya Bakra Eid ho us Raat ko bhi zikr ibaadat aur Nifl Namaz se zinda rakhne ki Fazilat aayi hai , Hadees Shareef mai hai k Jisne dono Eido’n ki Raato ko ibaadat ke zariye zinda Kiya ,us Din uska Dil Murda na hoga Jis Din Dil Murda honge ( Yani Qayamat ke Din ) _,” *( Targeeb v Tarheeb )*
┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k – Ramzan ki Aakhri Raat Mai Ummate Muhammadiya Sallallahu Alaihivasallam ki Magfirat Kar di jati hai ,
Arz Kiya gaya – Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Kya isse Shabe Qadr muraad hai ?
Farmaya- nahi ! ( Ye Fazilat Aakhri Raat ki hai ,Shabe Qadr ki Fazilat iske alawa hai ) Baat ye hai k Amal karne wale Ka Ajr us Waqt poora de Diya Jata Hai ,Jab Kaam poora Kar deta Hai , Aur Aakhri Shab mai Amal poora ho jata Hai, Lihaza Bakhshish ho jati hai , *( Mishkaat )*
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *आखरी रात में बख्शीश*
➠जिस दिन सुबह को ईद या बकरा ईद हो उस रात को भी ज़िक्र इबादत और नफ्ली नामाज़ से जिंदा रखने की फज़ीलत आयी है,हदीस शरीफ में है कि जिसने दोनों ईदों की रातों को इबादत के ज़रिए ज़िंदा किया,उस दिन उसका दिल मुर्दा न होगा जिस दिन दिल मुर्दा होंगे (यानी क़यामत के दिन) *( तरगीब व तरहीब )*
➠हज़रत अबु हुरैराह रज़ियल्लाहु अन्हु से रिवायात है कि रसूलुल्लाह सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया की रमज़ान की आखरी रात में उम्मते मुहम्मदिया सल्लअल्लाहू अलैहि की मगफिरत कर दी जाती है,अर्ज़ किया गौण -या रसूलुल्लाह सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम !क्या इससे शबे क़दर मुराद है?
फरमाया नही!(ये फज़ीलत आखरी रात की है,शबे क़दर की फज़ीलत इसके अलावा है) बात ये है कि अमल करने वाला का अजर उस वक़्त पूरा दे दिया जाता है,जब काम पूरा कर दिया जाता है,लिहाज़ा बख्शीश हो जाती है, *( मिशकात )*
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
✿●•· *Eid Ka Din_*
┱ _ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k – .
“__ Jab Shabe Qadr hoti hai to Jibraiyl Alaihissalam Farishto ki ek Jama’at ke Saath Naazil Hote hai’n Jo har us Bande ke liye Khuda Ta’ala se Rehmat ki Dua Karte hai’n Jo khade bethe Allah ka zikr Kar raha ho , Fir jab Eid Ka Din hota Hai to Allah Ta’ala Farishto ke saamne Fakhr se farmate hai’n ( k dekho in logo ne ek Maah ke Roze rakhe ,aur Hukm maana ) aur farmate hai’n k – Ey mere Farishto ! Bataao us mazdoor ki Kya jaza hai Jisne Amal poora Kar diya ho ?
Wo arz karte hai’n k – Ey hamare Rab uski jaza ye hai k uska badla poora poora de diya Jaye ,
Allah Ta’ala farmate hai’n k – Ey mere Farishto ! Mere Bando aur Bandiyo’n ne Mera fariza poora kar diya Jo un per Laazim tha aur Ab Dua mai gidgidane ke liye nikle hai’n , Qasam hai mere izzat v Jalaal aur Karam ki Mai’n zaroor Unki Dua qubool karunga ,
Fir ( Bando ko ) irshad Baari Ta’ala hota Hai k Maine tumko Bakhsh diya aur tumhari buraiyo’n ko Nekiyo’n se badal diya , Lihaza iske baad ( Eidgaah se ) Bakhshe Bakhshaye waapas Hote hai’n ,
*🗂 Bayhiqi Fi Shoebul imaan ,*
┱_ Eid ke Din Roza rakhna Haraam Hai, Aaj ke Din Roza na rakhna ibaadat hai ,
*┱_ Sadqatul Fitr _,* _’Eid ke Din Sadqatul Fitr Ada Kare Jo Sahibe nisaab per Waajib Hai, Hadees Paak mai hai k Sadqatul Fitr Rozo ko lagv aur gandi Baato se Paak karne ke liye hai aur miskeeno ki Rozi ke liye muqarrar Kiya gaya hai , *( Abu Daowd )*
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·ईद का दिन _,*
➠हज़रत अनस रज़ियल्लाहु अन्हु से रिवायात है कि रसूले करीम सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया की,,
जब शबे कदर होती है तो जिब्राइल अलैहिस्सलाम फरिश्तों की एक जमात के साथ नाज़िल होते हैं जो हर उस बंदे के लिए खुदा ताला से रहमत की दुआ करते हैं जो खड़े बैठे अल्लाह का ज़िक्र कर रहा हो,फिर जब ईद होता है तो अल्लाह ताला फरिश्तों के सामने फख्र से फरमाते हैं(कि देखो इन लोगों ने एक माह के रोज़े रखे और हुक्म माना)और फरमाते हैं कि -ऐ मेरे फरिश्तों! बताओ उस मज़दूर की क्या जज़ा है जिसने अमल पूरा कर दिया हो? वो अर्ज़ करते है की ऐ हमारे रब उसकी जज़ा ये है कि उसका बदला पूरा पूरा दे दिया जाए,
अल्लाह ताला फरमाते हैं कि -ऐ मेरे फरिश्तों!मेरे बंदों और मेरे बंदियों ने मेरा फ़रीज़ा पूरा कर दिया जो उन पर लाज़िम था अब दुआ में गिड़गिड़ाने के लिए निकले हैं,क़सम है मेरे इज़्ज़त व जमाल और करम की मैं ज़रूर उनकी दुआ क़ुबूल करूंगा,
फिर बन्दों को इरशाद बारी ताला होता है कि मैंने तुमको बख्श दिया और तुम्हारी बुराइयों को नेकियों से बदल दिया,लिहाज़ा इसके बाद (ईदगाह से)बख्शे बख्शाए वापस होते हैं, *( बहीकी़ फि शोबुल ईमान )*
➠ईद का दिन रोज़ा रखना हराम है,आज के दिन रोज़ा न रखना इबादत है,
*➠सदकातुल फितर*__ईद के दिन सदकातुल फितर अदा करें जो साहिबे निसाब पर वाजिब है,हदीस पाक में है कि सदकातुल फितर रोज़ो को लगव् व गंदी बातों से पाक करने के लिए हैऔर मिस्कीनों की रोजी के लिए मुक़र्रर किया गया है । *( अबु दाऊद )*
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
✿●•· *Kin logo ko Roza Ramzan Chhod Kar Baad mai Rakhne Ki ijazat Hai_*
┱ _ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Allah Ta’ala ne Musafir ke liye Namaz Ka ek hissa maaf farma diya hai aur Ramzan ke Roze na rakhne ki bhi Musafir ko ijazat di hai , aur isi tarah doodh pilane wali Aurat aur Hamal wali Aurat ki ijazat hai k Roza na rakhe ( aur Baad mai Qaza Kar le ) _,”
*🗂 Mishkaat Sharif -1/ 178 Baab Saum Al-Musafir ,*
*┱✿ Mareez Ka Hukm _*
┱ _ Ramzan Ka ek Roza Chhod dena bhi Bahut bada gunaah hai, aur Jo Farz Roza Chhodne Ka murtkab ho Wo Faasiq hai ,Albatta esa Shakhs Jo mareez ho k Roza rakhne se uski Jaan per ban aane Ka qavi Andesha ho ya Sakht marz mai mubtila ho aur Roze ki vajah se marz ke tool pakad Jane Ka gaalib Gumaan ho uske liye Jaa’iz hai k RamZan ke Roze Ramzan mai na rakhe aur Jab Achchha ho Jaye Qaza rakh le ,
┱_ Ye koi esa Masla nahi Hai Jisko Aam Tor per log nahi Jaante ho , Lekin isme Bahut si galtiya’n hoti hai’n –
*”__1__ Avval ye k mamooli mamooli marz mai Roza Chhod dete hai’n ,
*” 2_Dom ye k Faasiq aur Be-deen Balki Bad Deen Doctoro ko Roze ki na qeemat maloom hai na Shara’i Masle ki Sahi Soorat Ka ilm hai , ese logo ke qaul Ka koi aitbaar nahi hai ,isliye Mareez ko kisi ese Doctor se Mashwara Lena chahiye Jo Musalman ho aur Khofe Khuda rakhta ho aur Jo Shari’at ke Masle se waaqif ho ,
*”3_ Som ye kotaahi Aam hai k Bimaari ki vajah se Roza Chhod dete hai’n aur fir rakhte hi nahi aur Bahut badi gunahgaari Ka bojh le Kar Qabr mai chale Jate hai’n, ( Allah hifazat Kare )
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•· *किन लोगों को रोज़ा रमज़ान छोड़ कर बाद में रखने की इजाज़त है*
➠ हज़रत अनस रज़ियल्लाहु अन्हु से रिवायात है की रसूले अकरम सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया कि अल्लाह ताला ने मुसाफिर के लिए ननमाज़ का एक हिस्सा माफ फर्मा दिया है और रमज़ान के रोज़े न रखने की भी मुसाफिर को इजाज़त दी है,और इसी तरह दूध पिलाने वाली औरत और हमल वाली औरत को इजाज़त है कि रोज़ा न रखे(और बाद में क़ज़ा कर ले) _," *( मिशकात शरीफ -१/१७८)*
*✿●•·मरीज़ का हुक्म*
➠ रमज़ान का एक रोज़ा छोड़ देना भी बहुत बड़ा गुनाह है,और जो फ़र्ज़ रोज़ा छोड़ने का मुरतकिब हो वो फ़ासिक़ है,अलबत्ता ऐसा शख्स जो मरीज़ हो कि रोज़ा रखने से उसकी जान पर बन आने का कवि अंदेशा हो या सख्त मर्ज में मुब्तिला हो और रोज़े की वजह से मर्ज के तूल पकड़ जाने का गालिब गुमान हो उसके लिए जाइज़ है कि रमज़ान के रोज़े रमज़ान में न रखे और जब अच्छा हो जाए क़ज़ा रख ले,
➠ ये कोई ऐसा मसला नही है जिसको आम तौर पर लोग नही जानते हो,लेकिन इसमें बहुत सी गलतियां होती हैं,
1_अव्वल ये की मामूली मामूली मर्ज में रोज़ा छोड़ देते हैं,
2-दोम ये की फ़ासिक़ और बेदीन डॉक्टरों को रोज़े की ना कीमत मालूम है न शरई मसले की सही सूरत का इल्म है,ऐसे लोगों के कॉल का कोई ऐतेबार नही है,इसीलिए मरीज़ को किसी ऐसे डॉक्टर से मशवरा लेना चाहिए जो मुसलमान हो और ख़ौफ़े खुदा रखता हो और जो शरीयत के मसले से वाकिफ हो,
3-सोम ये कोताही आम है कि बीमारी की वजह से रोज़ा छोड़ देते हैं और फिर रखते ही नही और बहुत बड़ी गुनहगारी का बोझ ले कर क़ब्र में चले जाते हैं(अल्लाह हिफाज़त करे)
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
✿●•· *Musafir Ka Hukm _*
┱ _ Musafir Jo musafate Qasar ke iraade se Apne Shehar ya Basti se nikla Jab Tak Safar mai rahega Mard ho ya Aurat Chaar raka’ato wali Namazo ki jagah do raka’ate farz padhega , Haa’n agar kisi imaam ke pichhe (Jo Musafir na ho) Jama’at mai Shareek ho Jaye to Poori namaz padhni hogi , Musafate Qasr 48 meel ( 77.24 Kilometers ) hai , itni door Ka iraada Kar ke nikalne Wala Shara’i Musafir hai , Shari’at ne Namaze Qasr ki buniyad musafate Qasar per rakhi hai Agarche takleef na ho tab bhi 48 meel Ka Musafir 4 Raka’at wale Farz ki jagah 2 Raka’at padhega , agar 4 Raka’at Padh li to bura Kiya ,
*┱_ Masla _,* _ Jis Musafir ke liye 4 Raka’at wali Farz Namaz ki jagah 2 Raka’at padhna zaroori hai Uske liye ye bhi Jaa’iz hai k RamZan Mubarak ke moqe per Safar mai ho to Roza na rakhe aur Baad mai Ghar mai aa kar chhode hue Rozo ki Qaza kar le , Chahe Hawaii Jahaaz ya Motor ya Paidal Safar kiya ho aur Chahe Koi takleef Mehsoos na hoti ho ,agar kisi jagah 15 Din theharne ki Niyat Kar lega to Musafir na hoga ,
┱_ Ye Baat qabile Zikr hai k Bahut se log Jis tarah marz ki haalat mai Roza chhot Jane per Baad mai Qaza nahi rakhte Usi Tarah log Safar mai Roza Chhod Kar Baad mai Ghar aa Kar Qaza nahi rakhte aur gunahgaar marte hai’n , Agar zyada takleef na ho to Musafir ko Ramzan hi mai Roza rakh Lena zyada behtar aur Afzal hai , Vajah iski ye hai k Avval to Ramzan ki Barkat aur nooraniyat se mehroomi na hogi ,doosre Sab Musalmano ke Saath mil Kar Roza rakhne mai Asaani bhi hogi aur Baad mai Tanha Roza rakhna nushkil hoga ,
*┱ _ Masla _,* _ 48 meel se Kam Safar mai Roza Chhod dena Durust nahi ,
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•· *मुसाफिर का हुक्म*
➠ मुसाफिर जो मुसाफते कसर के इरादे से अपने शहर या बस्ती से निकला जब तक सफर में रहेगा मर्द हो या औरत चार रक़ातों वाली नमाज़ों की जगह दो रक़ात फ़र्ज़ पढ़ेगा,हाँ अगर किसी इमाम के पीछे (जो मुसाफिर न हो) जमात में शरीक हो जाए तो पूरी नामाज़ पढ़नी होगी,मुसाफते कसर 48 मील (77.24किलोमीटर्स)है,इतनी दूर का इरादा कर के निकलने वाला शरई मुसाफिर है,शरीयत ने नमाज़े कसर की बुनियाद मुसाफते कसर पर रखी है अगरचे तकलीफ न हो तब भी 48 मील का मुसाफिर 4 रक़ात वाले फ़र्ज़ की जगह 2 रक्कत पढ़ेगा,अगर 4 रक़ात पढ़ ली तो बुरा किया,
*➠मसला*-जिस मुसाफिर के लिए 4 रक़ात वाली फ़र्ज़ नामाज़ की जगह 2 रक़ात पढ़ना ज़रूरी है उसके लिए भी जाइज़ है कि रमज़ान मुबारक के मौके पर सफर में हो तो रोज़ा न रखे और बाद में घर मे आ के छोड़े हुए रोज़ो की क़ज़ा कर ले,चाहे हवाई जहाज़ या मोटर या पैदल सफर किया हो और चाहे कोई तकलीफ महसूस न होती हो,अगर किसी जगह 15 दिन ठहरने की नीयत कर लेगा तो मुसाफिर न होगा,
➠ये बात क़ाबिले ज़िक्र है की बहुत से लोग जिस तरह मर्ज की हालत में रोज़े छूट जाने पर बाद में क़ज़ा नही रखते उसी तरह लोग सफर में रोज़ा छोड़ कर बाद में घर आ कर क़ज़ा नही रखते और गुनाहगार मरते हैं,अगर ज़्यादा तकलीफ न हो तो मुसाफिर को रमज़ान ही में रोज़ा रख लेना ज़्यादा बेहतर और अफ़ज़ल है,वजह इसकी ये है कि अव्वल तो रमज़ान की बरकत और नूरानीयत से महरूमी न होगी,दूसरे सब मुसलमानों के साथ मिल कर रोज़ा रखने में आसानी भी होगी और बाद में तन्हा रोज़ा रखना मुश्किल होगा,
*➠मसला*-48 मील से कम सफर में रोज़ा छोड़ देना दुरुस्त नही,
▔▔▔▔▔
✿●•· *Doodh Pilane Wali Aurat Aur Haamla Ka Hukm_*
┱ _ Jis tarah Mareez aur Musafir ko Ramzan mai Roza chhodne ki ijazat hai ( Jiski sharte’n Pehli guzar chuki ) Usi Tarah Doodh Pilane Wali Aurat ke liye bhi Jaa’iz hai k RamZan mai Roza na rakhe aur Baad mai Qaza Kar le , Basharte k Roza rakhne se Bachche ko Doodh na Milne ki vajah se Giza se mehroomi hoti ho ,
┱_ Agar Bachcha Maa’n Ke Doodh ke alawa Doosri Cheez ke zariye guzara Kar Sakta ho Maslan ouper Ka Doodh pine se ya Daliya chawal vagera Khane se Bachche ki Giza Ka Kaam chal Sakta Hai to Doodh Pilane Wali Aurat ko Roza chhodna Haraam Hai , Aur ye Masla bhi Bachche ki Umar Do saal hone Tak hai ,Jab Bachche ki Umar Do saal ho Jaye to usko Aurat Ka Doodh Pilana hi mana hai , isme Roza Chhodne Ka Sawal hi paida nahi hota ,
*┱_ Masla _,* _ Doodh Pilane wali ko Sharte Mazkoora ke Saath Ramzan Ka Roza na rakhna is Soorat mai Jaa’iz hai Jabki Bachche Ka Baap Doosri Aurat ko mu’awza de Kar doodh pilane se Aajiz ho ya Wo Bachcha Maa’n Ke Alawa kisi Doosri Aurat Ka Doodh Leta hi na ho _,”
*┱ _ Haamla _,* _ Jo Aurat Hamal se ho usko bhi Ramzanul Mubarak mai Roza chhodne ki ijazat hai, faarig hone ke baad chhode hue Roze rakh le , Magar Shart Wahi hai k Roza rakhne se Bahut zyada takleef mai Padne ya Apne Bachche ki Jaan Ka Andesha ho ,*
* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•· *दूध पिलाने वाली औरत और हामला का हुक्म*
➠ जिस तरह मरीज़ और मुसाफिर को रमज़ान में रोज़ा छोड़ने की इजाज़त है (जिसकी शर्तें पहले गुज़र चुकी) उसी तरह दूध पिलाने वाली पर भी जाइज़ है कि रमज़ान में रोज़ा न रखे और बाद में क़ज़ा कर ले ,बशर्ते कि रोज़ा रखने से बच्चे को दूध न मिलने की वजह से ग़िज़ा से महरूमी होती हो,
➠ अगर बच्चा मां के दूध के अलावा दूसरी चीज के ज़रिए गुज़ारा कर सकता हो तो मसलन ऊपर का दूध पीने से या दलिया चावल वगैरह खाने से बच्चे की ग़िज़ा का काम चल सकता है तो दूध पिलाने वाली औरत को रोज़ा छोड़ना हराम है,और ये मसला भी बच्चे की उम्र दो साल होने तक है,जब बच्चे की उम्र दो साल हो जाए तो उसको औरत का दूध पिलाना ही मना है,इसमें रोज़ा छोड़ने का सवाल ही पैदा नही होता,
*➠मसला,,* दूध पिलाने वाली को शर्ते मज़कूरा के साथ रमज़ान का रोज़ा न रखना इस सूरत में जाइज़ है जबकि बच्चे का बाप दूसरी औरत को मुआवजा दे कर दूध पिलाने से आजिज़ हो या वो बच्चा मां के अलावा किसी दूसरी औरत का दूध लेता ही न हो,,
*➠हामला,,* -जो औरत हमल से हो उसको भी रमज़ानुल मुबारक में रोज़ा छोड़ने की इजाज़त है,फारिग होने के बाद छोड़े हुए रोज़े रख ले ,मगर शर्त वही है कि रोज़ा रखने से बहुत ज़्यादा तकलीफ में पड़ने या अपने बच्चे की जान का अंदेशा हो,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
✿●•· *┱✿ Fidya Dene Ka Hukm _*
┱ _ Wo Aurat ya Mard Jo mustaqil esa mareez ho k Roza rakhne se Jaan per ban aane Ka Shadeed khatra ho aur Zindgi mai Achchhe hone ki Ummeed hi na ho ,
┱_ Ya wo Mard ya Aurat Jo Bahut zyada Budhe ho Roza rakh hi nahi Sakte aur Roze per qaadir hone ki koi Ummeed nahi ye log Roze ke bajaye Fidya de Lekin Baad mai Kabhi Roza rakhne ke qabil ho gaye to guzishta Rozo ki Qaza karni hogi aur Aa’inda Roze rakhne honge Aur Jo Fidya diya hai Sadqa mai shumaar hoga ,
*┱_ Masla _,* _ Har Roze Ka Fidya ye hai k Ek Ser Saade Barah Chhataank Gainhu ya uski qeemat kisi miskeen ko de de ya Fi Roza ek miskeen ko Subeh Shaam pet bhar Kar khaana khila de’n ,
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *फिदिया देने का हुक्म*
➠ वो औरत या मर्द जो मुस्तक़िल ऐसा मरीज़ हो कि रोज़ा रखने से जान पर बन आने का शदीद खतरा हो और ज़िंदगी मे अच्छे होने की उम्मीद ही न हो,,
➠ या वो मर्द या औरत जो बहुत ज़्यादा बूढ़े हो रोज़ा रख ही नही सकते और रोज़े पर क़ादिर होने की कोई उम्मीद नही ये लोग रोज़े के बजाए फिदिया दे लेकिन बाद में कभी रोज़ा रखने के काबिल हो गए तो गुज़िश्ता रोज़ो की क़ज़ा करनी होगी और आइंदा रोज़े रखने होंगे और जो फिदिया दिया है सदक़ा में शुमार होगा,
*➠मसला* हर रोज़े का फिदिया ये है कि एक सेर साढ़े बारह छटांक गेंहू या उसकी कीमत किसी मिस्कीन को दे दे या फि रोज़ा एक मिस्कीन को सुबह शाम पेट भर कर खाना खिला दें,,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
✿●•· **┱✿ Haiz Wali Aurat Baad mai Roze ki Qaza Kare_*
┱ _ Hazrat Ma’aza Raziyallahu Anha farmati hai’n k Mai’ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Sawal Kiya k ye Kya Baat hai k ( Ramzan ke Mahine mai ) Kisi Aurat ko Haiz aa Jaye to ( un dino ke ) Rozo ki Qaza rakhti hai’n aur ( Umuman har Mahine Haiz aata rehta Hai, Ramzan ho ya gair Ramzan un dino ki ) Namazo ki Qaza nahi padhti , ( ye Namaz aur Roze mai Farq Kyu hai ? )
Ye sun Kar Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya- Kya Tu nechri ho gayi hai ? ( Jo Ahkaame Shariyat mai taang adaati hai )
Maine kaha – Mai’n nechri nahi hu’n ,Sirf maloom Kar rahi hu’n ,
Is per Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne jawab diya k Hum itni Baat Jaante hai’n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki mojoodgi mai Humko Haiz aata Tha to Namazo ki Qaza Ka Hukm na Diya Jata tha aur Rozo ki Qaza Ka Hukm hota Tha ,_”
*🗂 Muslim Shareef – 1/ 153 _,*
┱_ Hazrat Ma’aza Raziyallahu Anha ek Taba’i Aurat thi , Badi Aalima Faazila thi , Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki khusoosi Shagirdi Ka sharf haasil tha , Unhone Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Mazkoora Bala Sawal Kiya to farmaya k Kya Tu Deen mai Apni Aqal Ka dakhal de rahi hai ? Ye to un logo Ka Tareeqa hai Jo Haroora Basti mai rehte hai’n ( Haroora ek Gaanv tha ,ye log Deen aur Shariyat ko Apni Aqal ke Maiyaar se jaanchne ki koshish karte they aur Apni samajh ke tarazu mai tolte they )
┱_ Bahut se log Deen ko Apni Aqal ki Kasoti per Parakhna chahte hai’n aur Samajh mai nahi aata to munkir Hote hai’n ya Aitraaz karte hai’n , Ese log hamare Aslaaf ki Zubaan mai Nechri kehlate hai’n Kyunki Apne Nature ki Naturipan mai lagane ki napaak koshish karte hai’n, Dar Haqeeqat ye Ek Bahut bada rog hai Jo Dil mai Haqeeqi imaan raasikh nahi hone deta ,
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•· *हैज़ वाली औरत बाद में रोज़े की क़ज़ा करे*
➠ हज़रत माज़ा रज़ियल्लाहु अन्हा फरमाती हैं कि मैंने हज़रत आएशा रज़ियल्लाहु अन्हा से सवाल किया कि ये क्या बात है कि (रमज़ान के महीने में)किसी औरत को हैज़ आ जाए तो उन दिनों के रोज़ो की क़ज़ा रखती हैं और उमूमन हर महीने हैज़ आता रहता है,रमज़ान हो या गैर रमज़ान उन दिनों की नमाज़ों की क़ज़ा नही पढ़ती (ये नमाज़ और रोज़े में फर्क क्यों है?)
ये सुन कर हज़रत आएशा रज़ियल्लाहु अन्हा ने फरमाया-क्या तू नेचरी हो गई है?(जो अहकामे शरीयत में टांग अड़ाती है)
मैंने कहा-मैं नेचरी नही हूँ,सिर्फ मालूम कर रही हुं । इस पर हज़रत आएशा रज़ियल्लाहु अन्हा ने जवाब दिया कि हम इतनी बात जानते हैं कि हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम की मौजूदगी में हमको हैज़ आता था तो नमाज़ों की क़ज़ा का हुक्म नही दिया जाता था पर रोज़ों की क़ज़ा का हुक्म होता था ।
*( मुस्लिम शरीफ-१/१५३ )*
➠ हज़रत माज़ा रज़ियल्लाहु अन्हा एक तबाई औरत थी,बड़ी आलिमा फ़ाज़िला थी,हज़रत आएशा रज़ियल्लाहु अन्हा की खुसूसी शागिर्दी का शरफ़ हासिल था,उन्होंने हज़रत आएशा रज़ियल्लाहु अन्हा से मज़कूरा बाला सवाल किया तो फरमाया की क्या तू दीन में अपनी अक्ल का दखल दे रही है?ये तो उन लोगों का तरीका है जो हरूरा बस्ती में रहते हैं(हरूरा एक गांव था ,ये लोग दीन और शरीयत को अपनी अक्ल के मैयार से जांचने की कोशिश करते थे और अपनी समझ के तराजू में तौलते थे)
➠बहुत से लोग दीन को अपनी अक्ल की कसौटी पर परखना चाहते हैं और समझ मे नही आता तो मुनकिर होते हैं या ऐतराज़ करते हैं,ऐसे लोग हमारे असलाफ़ के ज़बान में नेचरी कहलाते हैं क्योंकि अपने नेचर की नेचरिपन में लगने की नापाक कोशिश करते हैं,दर हक़ीक़त ये बहुत बड़ा रोग है जो दिल मे हक़ीक़ी ईमान रासिख नही होने देता,,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
✿●•· *┱✿ Nifli Rozo Ka Sawab Aur Shohar Ki ijazat Ke Bager Nifli Roze na rakhe_*
┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Aurat Ke Liye ye Halaal nahi hai k ( Nifl ) Roze rakhe Jabki uska Shohar Ghar per ho , Haa’n uski ijazat se rakh sakti Hai aur Aurat ke liye Jaa’iz nahi hai k kisi ko Ghar mai aane ki ijazat de , Haa’n agar Shohar kisi ke bare mai ijazat de to Aurat bhi ijazat de sakti Hai ( Kyunki Musalman Shohar Jiske aane ki ijazat dega Wo Aurat Ka Mehram hoga ) _,”
*🗂 Mishkaat Sharif-178 Ba hawala Muslim,*
┱_ Deene islam Kaamil aur Mukammal Deen hai , Usme dono tarah ke huqooq Yani Huqooqullaah aur Huqooqul ibaad ki ri’ayat rakhi gayi hai, Jis tarah Huqooqullaah ki Adaygi ibaadat hai Usi Tarah Huqooqul ibaad Ka Ada Karna bhi ibaadat hai ,
┱_ Hadees Paak mai Huqooqul ibaad ki nigahdasht karne ki Hidayat farmayi hai, Shohar aur Bivi ke ek doosre per Huqooq hai’n aur Aapas mai ek esa Talluq hai Jo Roze mai nahi hota , Agar koi Aurat ( Nifli ) Roze per Roze rakhti chali Jaye aur Shohar ke Khaas talluq Ka Khayal na rakhe to gunahgaar hogi ,Shohar ko Khush rakhna aur Uske Huqooq Ka dhyan rakhna bhi ibaadat hai ,
┱ _Aurto’n ke liye Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Tambeeh farmayi k kisi Aurat ke liye ye Halaal nahi hai k Shohar Ghar per mojood ho to uski ijazat Ke bager Nifli Roze rakhe ,Shohar agar ijazat de to to Nifli Roze rakhe Albatta Rozana Roza rakhna fir bhi Mana hai ,
*_ Tambeeh_,* _ Farz Namaz aur Farz Roze ki Adaygi mai Shohar ki ijazat ki Hargiz zarurat nahi hai ,Wo ijazat na de tab bhi unki Adaygi Farz hai agar isse rokega to Sakht gunahgaar hoga , isi tarah Ramzan ke Jo Roze Maahwaari ki majboori ki vajah se Reh Gaye to Unki Qaza rakhna bhi Farz hai ,Agar Shohar roke tab bhi Qaza rakh le ,Agar Wo rokega to Sakht gunahgaar hoga ,
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·*नफ्ली रोज़ों का सवाब और शौहर के इजाज़त के बगैर नफ्ली रोज़े न रखें*
➠ हज़रत अबू हुरैराह रज़ियल्लाहु अन्हु से रिवायात है कि रसूलुल्लाह सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया की औरत के लिए ये हलाल नही है कि नफ्ली रोज़े रखे जबकि उसका शौहर घर पर हो,हाँ उसकी इजाज़त से रख सकती है और औरत के लिए जाइज़ नही है कि किसी को घर मे आने की इजाज़त दे,हाँ अगर शौहर किसी को इजाज़त दे तो औरत इजाज़त दे सकती है(क्योंकि मुसलमान शौहर जिसके आने की इजाज़त देगा वो औरत का महरम होगा)
*( मिशकात शरीफ - १७८)*
➠ दीने इस्लाम कामिल और मुकम्मल दीन है,उसमे दोनों तरह के हुक़ूक़ यानी हुक़ूक़ुल्लाह और हुकुकुलइबाद की रिआयत की गई है,जिस तरह हुक़ूक़ुल्लाह की अदायगी इबादत है उसी तरह हुकुकुल इबाद की अदा करना भी इबादत है,
➠ हदीस पाक में हुकुकुल इबाद की निगहदाश्त करने की हिदायत फरमाई है,शौहर और बीवी के एक दूसरे पर हुक़ूक़ हैं,और आपस मे एक ऐसा ताल्लुक़ है जो रोज़े में नही होता,अगर कोई औरत रोज़े पर रोज़े रखती चली जाए और शौहर के खास ताल्लुक़ का खयाल न रखे तो गुनाहगार होगी,शौहर को खुश रखना और उसके हुक़ूक़ का ध्यान रखना भी इबादत है,
➠ औरतों के लिए रसूलुल्लाह सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने तंबीह फरमाई के किसी औरत के लिए ये हलाल नही है की शौहर घर पर मौजूद हो तो उसकी इजाज़त के बगैर नफ्ली रोज़े रखे,शौहर अगर इजाज़त दे तो नफ्ली रोज़े रखे अलबत्ता रोज़ाना रोज़ा रखना फिर भी मना है,
*➠तंबीह-* _फ़र्ज़ नमाज़ और फ़र्ज़ रोज़े की अदायगी में शौहर की इजाज़त की हरगिज़ ज़रूरत नही है,वो इजाज़त न दे तो तब भी उनकी अदाएगी फ़र्ज़ है अगर इससे रोकेगा तो सख्त गुनाहगार होगा,इसी तरह रमज़ान के जो रोज़े माहवारी की वजह से रह गए तो उनकी क़ज़ा रखना भी फ़र्ज़ है,अगर शौहर रोके तब भी क़ज़ा रख ले ,अगर वो रोकेगा तो सख्त गुनाहगार होगा,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
✿●•· *┱✿ Rozana Nifli Roze rakhne ki Muma’anat_*
┱ _ Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jisne Rozana ( Nifl ) Roza rakha usne na Roza rakha na be Roza raha , *( Muslim Shareef )*
“_ Matlab ye hai k Rozana Roza rakhne se Nafs ko aadat ho jati hai, Aadat ho Jane se mashakkat nahi hoti ,Jab mashakkat nahi Hui to Roze Ka maqsad khatm ho gaya ,Ab Yu’n kaha jayega k Khaane pine ke awqaat badal diye. Is Soorat mai ibaadat ki Shaan baqi na rahi ,agar kisi se ho sake to ek din Roza rakhe aur Ek din be Roza rahe , Ye bahut Fazilat ki Baat hai lekin Shart Wahi hai k Shohar ki ijazat ho aur is qadar be Taaqat na ho Jaye k Doosri ibaadaat aur Adaygi e Huqooq mai Farq aa Jaye ,
┱_ Hazrat Abdullah bin Amr bin Aas Raziyallahu Anhu bade darje ke Sahabi they ,Ye Rozana Roza rakhte they aur Raato Raat Nifl padhte they , Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ko maloom hua to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k esa na Karo balki Roza bhi rakho aur be Roza bhi raha Karo , Raato mai Nifl Namaz mai bhi khade Raha Karo aur soya bhi Karo Kyunki Tumhare jism Ka bhi Tum per Haq hai aur Tumhari Aankh Ka bhi tum per Haq hai aur Tumhari Bivi Ka bhi tum per Haq hai aur jo log Tumhare paas aaye unka bhi tum per Haq hai , *( Bukhari v Muslim )*
┱_ Isse maloom hua k ibaadat Ka Kamaal ye hai k Apne Badan aur A’aza e Jism aur Bivi Bachcho aur Mehmano ke huqooq ki nigahdasht karte hue Nifl ibaadat ki Jaye , Khulasa ye hai k Shari’at ki Hudood mai Nafs v Shaitaan Ke Fareb se bachte hue Nifl Namaze padho aur Nifl Roze rakho , Tilawat bhi Karo ,zikr bhi Karo aur kisi Makhlooq Ka haq Waajib bhi Zaaya na hone do ,*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·*रोज़ाना नफ्ली रोज़ा रखने की मुमानत*
➠रहमतुल आलमीन सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया की जिसने रोज़ाना (नफ्ली) रोज़ा रखा उसने न रोज़ा रखा न बे रोज़ा रहा, *( मुस्लिम शरीफ)*
➠ मतलब ये है कि रोज़ाना रोज़ा रखने से नफ़्स को आदत हो जाती है,आदत हो जाने से मशक्कत नही होती,जब मशक्कत नही हुई तो रोज़ा का मक़सद खत्म हो गया,अब यूं कहा जाएगा कि खाने पीने के अवका़त बदल दिए,इस सूरत में इबादत की शान बाकी न रही,अगर किसी से हो सके तो एक दिन रोज़ा रखे और एक दिन बे रोज़ा रहे,ये बहुत फ़ज़ीलत की बात है लेकिन शर्त वही है कि शौहर की इजाज़त हो और इस क़दर बे ताक़त न हो जाए कि दूसरी इबादत और अदाएगी ए हुक़ूक़ में फर्क आ जाए,
➠हज़रत अब्दुल्लाह बिन अमर् बिन आस रज़ियल्लाहु अन्हु बड़े दर्जे के सहाबी थे,ये रोज़ाना रोज़ा रखते थे और रातों रात निफ़्ल पढ़ते थे,सरवरे दो आलम सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम को मालूम हुआ तो आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया की ऐसा न करो बल्कि रोज़ा भी रखो और बेरोज़ा भी रहो,रातों में नफ्ली नमाज़ में भी खड़े रहा करो और सोया भी करो क्योंकि तुम्हारे जिस्म का भी तुम पर हक़ है और तुम्हारी आंख का भी तुम पर हक़ है और तुम्हारी बीवी का भी तुम पर हक़ है और जो लोग तुमहारे पास आए उनका भी तुम पर हक़ है, *( बुखारी व मुस्लिम )*
➠इससे मालूम हुआ कि इबादत का कमाल ये है कि अपने बदन और आजाए जिस्म और बीवी बच्चों और मेहमानों के हुक़ूक़ की निगाहदाश्त करते हुए निफ़्ल इबादत की जाए ,खुलासा ये है कि शरीअत की हुदूद में नफ़्स व शैतान के फरेब से बचते हुए निफ़्ल नमाज़ें पढ़ो और निफ़्ल रोज़े रखो ,तिलावत भी करो,ज़िक्र भी करो,और किसी मख़लूक़ का हक़ वाजिब भी ज़ाया न होने दो,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓
▔▔▔▔▔
✿●•· *┱✿ Peer Aur Jumeraat Aur Chaand Ki 13-14-15 Tareekh ke Roze_*
┱ _ Ramzanul Mubarak ke Rozo ke alawa doosre Mahino mai bhi Roze rakhna chahiye ,Roza Bahut badi ibaadat hai aur iska Bahut bada sawab hai , Eid ke Mahine ke 6 Roze ,Peer Jumeraat ko Nifli Roze rakhne ki bhi badi Fazilat aayi hai ,
┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Peer aur Jumeraat ko Baargaahe Khudawandi mai A’amaal pesh kiye jate hai’n ,Lihaza Mai’n chahta hu’n k Mera Amal is Haal mai pesh Kiya Jaye k Mai’n Roze se hu’n _,” *( Tirmizi Shareef )*
┱_ Chaand ki 13-14-15 Tareekh ko Roze rakhne ki bhi badi Fazilat waarid Hui Hai , Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne in dino ke Roze rakhne ki targeeb di hai ,
*┱ _ Baqra Eid Ki Navi ( 9 vi ) Tareekh Ka Roza _,* _ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Mai’n Allah se pukhta Ummeed rakhta hu’n k Baqra Eid ki Novi Tareekh Ka Roza rakhne ki vajah se Allah Ta’ala ek ek saal pehle aur Ek saal Baad ke Gunaaho Ka kaffaara farma denge _,”
*┱ _Aashura Ka Roza _,*_ Aur Yaume Aashura ( Yani muharram ki 10 Tareekh ) ke bare mai Allah se pukhta Ummeed rakhta hu’n k iske rakhne ki vajah se ek saal pehle ke Gunaaho Ka kaffaara farma denge _, *( Mishkaat )*
“__ in Rozo ke alawa aur Jis qadar Nifl Roze koi Shakhs Mard ho ya Aurat rakh lega uske Haq mai Achchha hoga , Qayamat ke Din Nawafil ke zariye Fara’iz ki kami poori ki jayegi , isliye is ibaadat se gaafil na ho Lekin do baate Yaad rakhni chahiye Avval ye k is ibaadat ki vajah se kisi ki Haq talfi na ho Maslan Bivi Bachcho Ka Khayal na rahe , Kamzori ki vajah se Kama na sake vagera , Ya doosre Huqooq mai kotahi hone lage Maslan koi Aurat Roze rakhne ki vajah se Shohar aur Bachcho ke Huqooq Zaaya na Kare ,*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
*✿●•·पीर और जुमेरात और चांद की 13-14-15 तारीख के रोज़े*
➠रमज़ानुल मुबारक के रोज़ो के अलावा दूसरे महीनों में भी रोज़े रखना चाहिए ,रोज़ा बहुत बड़ी इबादत है,और इसका बहुत बड़ा सवाब है,ईद के महीने के 6 रोज़े,पीर जुमेरात को नफ्ली रोज़े रखने की भी बड़ी फ़ज़ीलत आई है,
➠हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया की पीर और जुमेरात को बारगाहे खुदावन्दी में आमाल पेश किए जाते हैं,लिहाज़ा मैं चाहता हूं कि मेरा अमल इस हाल में पेश किया जाए कि मैं रोज़े से हूँ,, *( तिरमिज़ी शरीफ )*
➠चांद की 13-14-15 तारीख को रोज़े रखने की भी बड़ी फ़ाज़िलत वारिद हुई है,आप सल्लअल्लाहू अलैहि वासल्लम ने इन दिनों में रोज़े रखने की तरग़ीब दी है,
*✿●•·बकरा ईद की नवी तारीख का रोज़ा*
➠हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया की मैं अल्लाह से पुख्ता उम्मीद रखता हूं कि बकरा ईद की नोवी तारीख का रोज़ा रखने की वजह से अल्लाह ताला एक एक साल पहले और एक साल बाद के गुनाहों का कफ़्फ़ारा फर्मा देंगे,,
*✿●•·आशूरा का रोज़ा*
➠और यौमे आशूरा (यानी मुहर्रम की 10 तारीख) के बारे में अल्लाह से पुख्ता उम्मीद रखता हूं कि इसके रखने की वजह से एक साल पहले के गुनाहों का कफ़्फ़ारा फर्मा देंगे, *( मिशकात )*
➠इन रोज़ो के अलावा और जिस क़दर निफ़ल रोज़े कोई शख्स मर्द हो या औरत रख लेगा उसके हक़ में अच्छा होगा,क़यामत के दिन नवाफिल के ज़रिए फ़राइज़ की कमी पूरी की जाएगी,इसीलिए इस इबादत से गाफिल न हो लेकिन दो बातें याद रखनी चाहिए अव्वल ये की इस इबादत की वजह से किसी की हक़ तलाफ़ी न हो मसलन बीवी बच्चों का ख्याल न रहे,कमज़ोरी की वजह से कमा न सके वगैरह,या दूसरे हुक़ूक़ में कोताही होने लगे मसलन कोई औरत रोज़े रखने की वजह से शौहर और बच्चों के हुक़ूक़ ज़ाया न करे,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
✿●•· *Eid Ke Mahine mai 6 Roze rakhne ki Fazilat _*
┱ _ Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jisne Ramzan ke Roze rakhe aur Uske baad 6 ( Nifl ) Roze Shawwal ( Yani Eid ) ke Mahine mai rakh le to ( Poore saal ke Roze rakhne Ka sawab hoga ,agar Hamesha esa hi Karega to ) Goya usne Saari Umar Roze rakhe _,”
*🗂 Muslim, Mishkaat Sharif -179 _,*
┱_ Is Mubarak Hadees mai Ramzanul Mubarak guzarne ke Baad Maahe Shawwal mai 6 Nifli Roze rakhne ki targeeb di gayi hai aur iska Azeem sawab bataya gaya hai, Sawab dene ke bare mai Allah Ta’ala ne ye meharbani farmayi hai k har Amal Ka sawab Kam az Kam das guna muqarrar farmaya hai, Jab kisi ne Ramzan ke 30 Roze rakhe aur fir 6 Roze ( Eid Ke din ke Baad ) aur rakh le to ye 36 Roze ho gaye ,36×10 = 360 ho jate hai’n , Chaand ke hisaab se ek saal 360 din Ka hota Hai,Lihaza 36 Roze rakhne per Allah Ta’ala ke nazdeek 360 Roze shumaar honge Aur isi tarah poore saal Roze rakhne Ka sawab milega ,Agar har saal Koi esa hi Kar liya Kare to sawab ke aitbaar se Saari Umar Roze rakhne Wala maana jayega ,
┱_ Agar Ramzan ke Roze Chaand ki vajah se 29 hi Reh Jaye tab bhi 30 hi shumaar honge Kyunki har Musalman ki Niyat hoti Hai k Chaand Nazar na aaye to 30 VA Roza bhi rakhega , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Sirf Ramzan aur 6 Shawwal ke Roze rakhne per is sawab ki Khush khabri sunayi hai ,
┱ _Baaz Aurte’n samajhti hai’n k ye sawab Usi Waqt milega Jabki Eid Ke Baad doosre din Kam az Kam ek Roza zaroor rakh le ye Galat hai , Agar Doosri Tareekh se Roze Shuru na kiye aur Poore Maah Shawwal mai 6 Roze rakh liye tab bhi ye sawab mil jayega ,
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *ईद के महीने में 6 रोजे रखने की फज़ीलत*
➠हजरत अबू अय्यूब अंसारी रज़ियल्लाहु अन्हु से रिवायत है कि रसूलुल्लाह सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया की जिसने रमज़ान के रोज़े रखे और उसके बाद 6 नफ्ली रोज़े शव्वाल (यानी ईद)के महीने में रख ले तो (पूरे साल के रोज़े रखने का सवाब होगा,अगर हमेशा ऐसा ही करेगा तो)गोया उसने सारी उम्र रोज़े रखे,, *(मुस्लिम, मिशकात शरीफ- १७९)*
➠इस मुबारक हदीस में रमज़ानुल मुबारक गुज़रने के बाद माहे शव्वाल में 6 निफली रोज़े रखने की तरग़ीब दी गई और इसका अज़ीम सवाब बताया गया है,सवाब देने के बारे में अल्लाह ताला ने ये मेहरबानी फरमाई है की हर अमल का सवाब कम अज़ कम दस गुना मुक़र्रर फरमाया है,जब किसी ने रमज़ान के 30 रोज़े रखे और फिर 6 रोज़े(ईद के दिन के बाद)और रख ले तो ये 36 रोज़े हो गए,36×10=360हो जाते हैं,चांद के हिसाब से एक साल 360 दिन का होता है,लिहाज़ा 36 रोज़े रखने पर अल्लाह ताला के नज़दीक 360 रोज़े शुमार होंगे और इसी तरह पूरे साल भर रोज़े रखने का सवाब मिलेगा,अगर हर साल कोई ऐसा ही कर लिया करे तो सवाब के ऐतेबार से सारी उम्र रोज़े रखने वाला माना जाएगा,
➠अगर रमज़ान के रोज़े चांद की वजह से 29 ही रह जाए तब भी 30 ही शुमार होंगे क्योंकि हर मुसलमान की नीयत होती है कि चांद नज़र न आए तो 30वा रोज़ा भी रखेगा ,हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने सिर्फ रमज़ान और 6 शव्वाल के रोज़े रखने पर इस सवाब की खुश खबरी सुनाई है,,
➠बाज़ औरतें समझती हैं की ये सवाब उसी वक़्त मिलेगा जबकि ईद के बाद दुसरे दिन कम अज़ कम एक रोज़ा ज़रूर रख ले ये गलत है,अगर दूसरी तारीख से रोज़े शुरू न किये और पूरे माह शव्वाल में 6 रोज़े रख लिए तब भी ये सवाब मिल जाएगा,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
✿●•· *┱✿ Nifl Roze rakh Kar Tod dene Se Uski Qaza Laazim Hoti Hai_*
┱ _ Hazrat ibne Shihaab Zahri ( Taaba’i ) ne Bayan farmaya k Ek Martaba Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki do Biviyo’n Yani Hazrat Ayesha aur Hazrat Hafsa Raziyallahu Anhuma ne Nifli Roza rakh liya aur Subeh ho gayi , uske baad Unki khidmat mai bator hadiya khana pesh Kar diya gaya Jise Unhone Khaa liya aur Roza tod diya , iske baad Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam tashreef laye,
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai’n k hum dono ne Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se Masla maloom karne Ka iraada Kiya aur Hafsa Baat karne mai mujhse aage bad gayi aur Woh Apne Baap ki Beti thi ( Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki Beti thi ) aur Arz Kiya k ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Maine aur Ayesha ne Nifli Roza rakh liya tha is Haal mai Subeh Hui k hum dono Rozedaar thi , Hamare Liye Khaane Ka hadiya pesh Kiya gaya ,humne Wo Khaa liya aur Roza tod liya ( to ab hum Kya Kare ) iske jawab mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k – is Roze ki jagah ek Roza rakh Lena _,”
*🗂 Mota imaam Maalik Reh. 95,*
┱_ Nifl Namaz Ho ya Nifl Roza ho uski Adaygi Bande ke zimme Laazim nahi Hai ,agar koi Shakhs Nifl Namaz Shuru Kar de aur tod de ya Nifli Roza rakh Kar Aftaab guroob se pehle Jaan boojh Kar kuchh Khaa pi le ya esa koi Amal Kar le Jisse Roza toot Jata hai to fir us Namaz aur us Roze ki Qaza Laazim Ho Jati Hai aur vajah iski ye hai k Jab Tak Nifl Namaz ya Nifl Roza Shuru nahi Kiya tha us Waqt Tak Wo Nifl tha aur jab Shuru Kar diya to iska poora karna Waajib ho gaya ,*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *निफ़ल रोज़े रख कर तोड़ देने से उसकी क़ज़ा लाज़िम होती है*
➠हज़रत इब्ने शिहाब ज़हरी (ताबई) ने बयान फरमाया की एक मर्तबा हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम की दो बीवियों यानी हज़रत आएशा और हज़रत हफ़सा रज़ियल्लाहु अन्हुमा ने निफ़ल रोज़ा रख लिया और सुबह हो गई,उसके बाद उनकी खिदमत में बतौर हदिया खाना पेश कर दिया गया,जिसे उन्होंने खा लिया और रोज़ा तोड़ दिया,इसके बाद हुज़ूर सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम तशरीफ़ लाए,
➠हज़रत आएशा रज़ियल्लाहु अन्हा फरमाती हैं कि हम दोनों ने हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम से मसला मालूम करने का इरादा किया और हफ़सा बात करने में मुझसे आगे बढ़ गई और वो अपने बाप की बेटी थी(हज़रत उमर रज़ियल्लाहु अन्हु की बेटी थी)और अर्ज़ किया कि या रसूलुल्लाह सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम मैंने और आएशा ने नफ्ली रोज़ा रख लिया था और इस हाल सुबह हुई कि हम दोनों रोज़ेदार थी,हमारे लिए खाने का हदिया पेशकिया गया,हमने वो खा लिया और रोज़ा तोड़ दिया(तो अब हम क्या करें)इसके जवाब में आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया की इस रोज़े की जगह एक रोज़ा रख लेना,,
*( मौता इमाम मालिक रह.-९५)*
➠नफ्ली नामाज़ हो या नफ्ली रोज़ा हो उसकी अदाएगी बंदे के जिम्मे लाज़िम नही हुई ,अगर कोई शख़्स नफ्ली नामाज़ शुरू कर दे और तोड़ दे या नफ्ली रोज़ा रखकर आफताब गुरूब से पहले जान बूझ कर कुछ खा पी ले या ऐसा कोई अमल कर ले जिससे रोज़ा टूट जाता है तो फिर उस नामाज़ और उस रोज़े की क़ज़ा लाज़िम हो जाती है और वजह इसकी ये है कि जब तक नफ्ली नामाज़ या नफ्ली रोज़ा शुरू नही किया था उस वक़्त तक वो नफ्ली था और जब शुरू कर दिया तो इसका पूरा करना वाजिब हो गया,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
*✿●•· Nifli Namaz v Nifli Rozo Ki Qaza Ke Masa’il_*
*┱ _ Masla _1 _,* Nifl Namaz ki har 2 Raka’at Alhida Namaz Shumaar hoti Hai , Agar Chaar Raka’at ki Niyat baandh Kar Namaz Shuru ki to Jab Tak Teesri Raka’at Shuru na Kar de 2 hi Raka’at Ka poora Karna Waajib hoga , Lihaza agar kisi ne Chaar Raka’at Nifl ki Niyat ki fir 2 Raka’at Padh Kar Salaam fair diya to koi gunaah nahi ,
*┱_ Masla_2 _,* Agar kisi ne Chaar Raka’at Nifl ki Niyat baandhi aur abhi 2 Raka’ate poori na Hui thi k Namaz tod di to Sirf 2 Raka’at ki Qaza padhe ,
*┱_ Masla _3 _,* Agar Chaar Raka’at ki Niyat baandhi aur Do Raka’at padh le ,fir Teesri ya Chothi Raka’at mai Namaz tod di to agar Doosri Raka’at per Beth Kar Attahiyaat vagera padhi hai to Sirf Do Raka’at ki Qaza padhe , aur agar Doosri Raka’at per nahi bethi Aur bager Attahiyaat padhe bhoole se khadi ho gayi ya Jaan boojh Kar khadi ho gayi to Poori Chaar Raka’ato ki Qaza padhe,
*┱ _Masla _4 _,* Zuhar ki Chaar Raka’at Sunnat ki Niyat agar toot Jaye to Poori Chaar Raka’at fir se padhe chaahe Do Raka’at per beth Kar Attahiyaat padhi ho ya na padhi ho ,
*┱ _Masla _5 _,* Agar kisi Aurat ne Nifl Namaz Shuru ki fir usko Namaz ke andar mazoori Shuru ho gayi Jo Aurat ko har Mahine pesh aati hai to Namaz Chhod de aur Baad mai us Namaz ki Qaza padhe, isi tarah agar kisi Aurat ne Nifl Roza rakh liya aur Kuchh Waqt guzar Jane ke Baad har Mahine wali mazoori pesh aa gayi to Roza khatm ho gaya ,Paak hone ke baad uski Qaza Kare ,
*┱ _Masla _6 _,* Nifl Namaz ya Roza Shuru Kar ke khud tod Dena Jaa’iz nahi hai , Agarche is Niyat se ho k Baad mai Qaza Kar lenge , Haa’n agar kisi ke yaha’n Koi mehmaan aa gaya aur Wo ad Jaye k jab Tak Sahibe khaana Saath nahi khayega Mai’n khaana nahi khaunga to uski dildaari ke liye ( Nifl ) Roza tod Dena Jaa’iz hai Lekin Baad mai uski Qaza rakhna Laazimi hai ,*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *निफ्ली नमाज़ व नफ्ली रोज़ों की क़ज़ा के मसाइल*
*➠मसला -1* _नफ्ली नामाज़ की हर 2 रकअत अलाहिदा नामाज़ शुमार होती है,अगर चार रक्कत की नीयत बांध कर नामाज़ शुरू की तो जब तक तीसरी रक्कत शुरू न कर दे 2 ही रक्कत का पूरा करना वाजिब होगा,लिहाज़ा अगर किसी ने चार रक्कत नफ्ली की नीयत की फिर 2 रक्कत पढ़ कर सलाम फेर दिया तो कोई गुनाह नही,
*➠मसला-2* _अगर किसी ने चार रक्कत नफ्ली की नीयत बांधी और अभी 2 रककतें पूरी न हुई थी कि नामाज़ तोड़ दी तो सिर्फ 2 रक्कत की क़ज़ा पढ़े,
*➠मसला-3*_अगर चार रक्कत की नीयत बांधी और दो रकअत पढ़ ले ,फिर तीसरी या चौथी रकअत में नामाज़ तोड़ दी तो अगर दूसरी रक्कत पर बैठ कर अतहिय्यात वगैरह पढिहै तो सिर्फ दो रक़ात की क़ज़ा पढ़े,
और अगर दूसरी रक़ात में नही बैठी और बगैर अतहिय्यात पढ़े भूले से खड़ी हो गई या जान बूझ कर खड़ी हो गई तो पूरी चार रक़्क़तों की क़ज़ा पढ़े,
*➠मसला-4* _ज़ुहर की 4 रक्कत सुन्नत की नियत अगर टूट जाए तो पूरी चार रक्कत फिर से पढ़े चाहे दो रकअत पर बैठ कर अतहिय्यात पढ़ी हो या न पढ़ी हो,
*➠मसला-5* _अगर किसी औरत ने निफ़ल नामाज़ शुरू की फिर उसको नामाज़ के अंदर माज़ूरी शुरू हो गई जो औरत को हर महीने पेश आती है तो नामाज़ छोड़ कर उस नामाज़ की क़ज़ा पढ़े,इसी तरह अगर किसी औरत ने निफ़ल रोज़ा रख लिया और कुछ वक्त गुज़र जाने के बाद हर महीने वाली माज़ूरी पेश आ गई तो रोज़ा खत्म हो गया,पाक होने के बाद उसकी क़ज़ा करे,
*➠मसला-6*_निफ़्ल नमाज़ या रोज़ा शुरू कर के खुद तोड़ देना जाइज़ नही है,अगरचे इस नियत से हो कि बाद में क़ज़ा कर लेंगे,हाँ अगर किसी के यहां कोई मेहमान आ गया और वो अड़ जाए कि जब तक साहिबे खाना साथ नही खाएगा तो उसकी दिलदारी के लिए (निफ़ल)रोज़ा तोड़ देना जाइज़ है लेकिन बाद में उसकी क़ज़ा रखना लाज़िम है,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
*✿●•· Agar Rozedaar Ke Paas Koi Khaane lage to Rozedaar Ke liye Farishte Dua Karte hai’n_*
┱ _ Hazrat Umme Ammara bint Ka’ab Raziyallahu Anha ne Bayan farmaya k Aap Sallallahu Alaihivasallam mere paas tashreef laye, Maine Aap Sallallahu Alaihivasallam ke liye khaana mangaya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k tum ( bhi ) Khaao ,
Maine arz Kiya- Mai’n Roze se hu’n ,
Ye sun Kar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- bila shubha Jab Rozedaar Ke Paas Khaya Jaye to uske liye Farishte magfirat ki Dua Karte rehte hai’n jab Tak k Khaane wale faarig ho _,”
*🗂 Mishkaatul Masabeh–181 Ba hawala Ahmad v Tirmizi,*
┱_ Roza Sabr Ka Naam hai ,Insaan jab Roze ki Niyat Kar leta Hai to ye Tay Kar leta Hai k Suraj chhipne Tak koi Cheez nahi khaunga ,fir jab Rozedaar Ke saamne koi Shakhs Khaane lage to Rozedaar ko Sabr ki mazeed Fazilat badh jati hai Kyunki doosre ko khaata dekh Kar Jo Nafs mai khusoosi taqaza paida hota Hai usko dabaata hai aur Roza poora kiye bager kuchh nahi khata pita hai , iske is khusoosi Sabr ki vajah se ye khusoosi Fazilat di gayi hai k Khaane Wala jab Tak uske paas khata rehta Hai Uske Liye Farishte Bakhshish ki Dua Karte rehte hai’n ,*
*📕Tohfa e Khwateen*
https://www.youtube.com/channel/UChdcsCkqrolEP5Fe8yWPFQg
*👆🏻 Subscribe Our YouTube Channel_,*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *अगर रोज़ेदार के पास कोई खाने लगे तो रोज़ेदार के लिए फरिश्ते दुआ करते हैं*
➠हज़रत उम्मे अम्मारा बिन्त काब रज़ियल्लाहु अन्हा से बयान फरमाया की आप सल्लअल्लाहू अलैहि वासल्लम मेरे पास तशरीफ़ लाए ,मैंने आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम के लिए खाना मंगाया ,आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया की तुम भी खाओ,
मैंने अर्ज़ किया ,मैं रोज़े से हूं ये सुनकर आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने फरमाया -बिला शुभा जब रोज़ेदार के पास खाया जाए तो उसके लिए फरिश्ते मगफिरत की दुआ करते हैं जब तक कि खाने वाले फारिग हो,
*( मिशकातुल मसाबह- १८१)*
➠ रोज़ा सब्र का नाम है,इंसान जब रोज़े की नीयत कर लेता है तो ये तय कर लेता है कि सूरज छिपने तक कोई चीज़ नही खाऊंगा ,फिर जब रोज़ेदार के सामने कोई शख्स खाने लगे तो रोज़ेदार को सब्र की मज़ीद फज़ीलत बढ़ जाती है क्योंकि दूसरे को खाता देख कर जो नफ़्स में खुसूसी तक़ाज़ा पैदा होता है उसको दबाता है और रोज़ा पूरा किये बगैर कुछ नही खाता पिता है,इसके इस खुसूसी सब्र की वजह से ये खुसूसी फज़ीलत दी गई है कि खाने वाला जब तक उसके पास खाता रहता है उसके लिए फरिश्ते बख्शीश की दुआ करते रहते हैं,,
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▔▔▔▔▔
*✿●•· Maahe Shabaan Ke Roze_*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam musalsal ( Nifli ) Roze rakhte chale Jate they yaha’n Tak k Hume Khayal hone lagta tha k ab Aap be Roza nahi rahenge aur jab Roza rakhna chhodte to itne din chhodte chale Jate they k Hume Khayal guzarne lagta tha k ab Aap Sallallahu Alaihivasallam Nifli Roze nahi rakhenge ,
Aur farmati hai’n k Maine nahi dekha k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Kisi Mahine ke poore Roze rakhe ho Sivaye Ramazan ke Mahine ke , Aur Maine Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko nahi dekha k Shabaan ke Mahine se zyada kisi Doosre Mahine mai ( Nifl ) Roze rakhe ho ,
Aur Ek Rivayat mai Hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam Chand ayyaam ke alawa Poore Shabaan ke Roze rakhte they _,”
*🗂 Mishkaatul Masabeh-178 Ba hawala Bukhari v Muslim,*
*_ ALHAMDULILLAH MUKAMMAL HUA_*
▉﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍﹍▉
*✿_ फज़ाइल ए रमज़ान _✿*
✿●•· *माहे शाबान के रोज़े*
➠हज़रत आएशा रज़ियल्लाहु अन्हा से रिवायात है कि हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम मुसलसल (नफ्ली)रोज़े रखते चले जाते थे यहां तक कि हमे खयाल होने लगता था कि अब आप बे रोज़ा नही रहेंगे और जब रोज़ा रखना छोड़ते तो इतने दिन छोड़ते चले जाते थे की हमे खयाल गुज़रने लगता था कि अब आप सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम निफली रोज़े नही रखेंगे,
और फरमाती हैं कि हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम ने किसी महीने के पूरे रोज़े रखे हो सिवाए रमज़ान के महीने के ,और मैंने हुज़ूर अक़दस सल्लअल्लाहू अलैहि वसल्लम को नही देखा कि शाबान के महीने से ज़्यादा किसी दूसरे महीने में रोज़े रखे हो,
➠और एक रिवायात में है कि आप सल्लअल्लाहू अलैहि वासल्लम चंद अय्याम के अलावा पूरे शाबान के रोज़े रखते थे,,
*( मिशकातुल मसाबह-१७८)*
*_ अल्हम्दुलिल्लाह मुकम्मल हुआ_*
*📕तोहफा ए खवातीन_,*
▓✦✦
▓▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▓
💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕
*❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://www.haqqkadaayi.com/
*👆🏻Visit for All updates,*
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
✦✦
Post a Comment