0

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Mijaaze Nabuwat Ke bager Dawat Mossir Nahi,*
↬• Sabse Aham aur Zaroori Baat ye hai k Duniya mai Jitne bhi Shobe hai'n, Tijarat Ka ,Zara'at Ka , Hukumat Ka ,in Tamaam Shobo mai in Shobo ko le Kar chalne wale har Shobe mai Apna Mijaaz rakhte hai'n ,
★• _ Taajir Ka ek Mijaaz hai ,Grahak se kese pesh aana hai , Haakim Ka ek Mijaaz hai k Ri'ayaa ke Saath kese pesh aana hai ,Lekin in Tamaam qism ke logo ko Dawat illallaah mai Mijaaze Nabuwat per aana padega ,
★• _ Khuda ki qasam Dawat illallaah Mijaaze Nabuwat ke bager na Apne liye Mossir hai na Doosro ke liye Mossir hai ,
"__Sab naye Purane,Awaam v khawas sabke liye arz kar raha hu'n , Ummat Sunnate Dawat mai Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke Usloobe Dawat se itni Door chali gayi hai Agar Wo Usloobe Dawat hota to Aalam bhar mai islam ke liye Ab Tak ki itni Mehnat aur itna Majmu'a Kaam karne walo Ka , Mai'n Yaqeen se Kehta hu'n Saare Aalam ke nizaam ko badalne ke liye Kaafi tha ,
★• _ Lekin Sabse Zyada Gam aur Afsos ki Baat ye hai k is Kaam se nisbat hai lekin Kaam se munasbat nahi Hai, is Kaam se nisbat hai Magar Apne Mijaaz ke aitbaar se hai ,
                 
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
           ❈…… .. _*Usloobe Dawat,*
↬•★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Saari insaniyat ki taraf matloob hai'n ,Sabse Aham Cheez Aapki Dawat mai Aapka Usloobe Dawat aur Aham Cheez Aapki Wus'at e Qalbi hai ,Jisne Ummat ke Tamaam tabqaat ko Kaalo ko ,Gauro ko ,Maqami ko ,Bahar walo ko ,Apni Zubaan walo ko ,Doosri Zubaan walo ko Sabko jama Kar diya ,Ye Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Usloobe Dawat Ka nateeja tha,
★• _ Ummat tabqaat mai Baad mai banti hai , Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Ummat ko tabqaat mai Taqseem nahi hone diya , Aapka Usloobe Dawat hi Esa tha k Aap Kisi Vajeer ya Faqeer in dono ko Dawat dene mai na kisi Faqeer ko Uske faqr se haqeer samajhte they na kisi Vajeer uski Vijarat ki vajah se margoob Hote they balki Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka Usloobe Dawat Ummat ko Khayr ki taraf Jama Kar raha tha ,
★• _ Isliye Mai'n Sabse pehle arz ye karunga k is Kaam mai Tabqaati Jod Ka koi tasavvur nahi Hai, Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Ummat banayi hai ,
★• _ Ummat mai Jitni ounch neech hai Jitna taqabul hai aur Jitna Ummat Ka jaano Maal gair mehfooz hai , is sabki vajah Khuda ki qasam iske Siva kuchh nahi Hai k Ummat tabqaat mai banti Hui Hai,
★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Jo Sabse bada Kaam Kiya hai Aamad ke moqe per bhi aur Duniya se jate hue bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam Tamaam nisbato ko Apne qadam Mubarak ke niche esa kuchal kar gaye hai'n, Hajjatul Vida per Aapne ahad le liya tha k Tumhari haisiyat na rang se hai na qabile se hai balki ek Ajeeb Waqi'a zahan mai aaya Jisko sun Kar andaza hoga k Ummat ke Awaam se khawas se ,Kaalo se Gauro se , Ajnabi se Maqami logo se ,in Sabse Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne is tarah Kaam liya hai k koi ouncha nicha Nazar nahi aata Tha,
"__ Ye Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka wo Usloobe Dawat hai Jiski har Kaam karne walo ko Apni satah per zarurat hai ,
        ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
   ❈…… .. _*Shohrat Se Qubuliyat Ka Dhoka na Lage,*
↬• Is Dawat ki Mehnat aur iski Nusrat mai kisi Kam istedaad wale ko Be haisiyat ya bekaar haqeer Samajhna Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke Ummat banane ki koshish mai bahut bada jurm tha aur ye badi Mehroomi Ka Sabab Tha ,
★• _ Agar koi Shakhs ye Kahe k Mai'n is Kaam Ka zyada Haqdaar hu'n ,( to ) Allah Ta'ala Ka dastoor ye hai k Uske Daave ko logo ke darmiyan jhoota karne ke liye uski salahiyato ko salb Kar lete hai'n , aur Nikamme logo se Allah Ta'ala Kaam le lete hai'n ,
★• _ Allah Ta'ala ko is kaam mai Sabse Zyada Aazizi pasand hai , Is Aazizi ki pasandgi hi hai k Ambiya Alaihissalam Baaz martaba esi mayoosi aur Khof aur ese Halaat ke shikaar Hote hai'n ( to ) Qur'an ne jagah jagah farmaya hai k Nabi Ji Aap Shaq na kijiye ,Halaat se mutassir na hoiye ,
*★• _ Maqbuliyat aur Shohrat in dono cheezo ki sarhade esi milti hai'n Jese israaf aur sakhawat ki sarhade milti hai'n , Kabhi bhi Shohrat Se Qubuliyat Ka Dhoka na Lage, is Shohrat aur Zaahiri istedaad ki vajah se Aadmi Apne Aapko doosro se Behtar samajh leta Hai ,*
★• _ Meri Baat Yaad rakhna Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Ummat banayi hai ,Aapne Apne Mizaaj ke Apni Tabiyat ke logo ko chhaant Kar Alag nahi de diya k ye Meri Jama'at hai ,Nahi , Balki Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Ajnabi ko Bilaale Habshi ( Raziyallahu Anhu ) ko apno ke darmiyan Mossir Mata'iyan Kar ke ye Saabit Kiya hai k yaha'n Apne paraye ki koi qaid nahi Hai , Chunki is Vajah se Ummat fat ti hai banti nahi Hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Ek ibratnaak Waqi'a,*
↬• Ek Majlis mai Aus aur Khajraj aur Muhajireen ke kuchh Sahaba Kiraam bethe hue they ,
★• _ Hazrat Bilaal , Hazrat Salman ,Hazrat Suheb Raziyallahu Anhum ye Sab Ajnabi hai'n ,Koi room Ka hai ,Koi Habsha Ka hai ,Koi faaras Ka hai , Khajraj ke Qais ibne Mataqiya ne Yu'n kaha k - Are tum log Kya kar sakoge ? Hum Arabi hai'n tum gair Arabi ho , hamari Zubaan Nabi ki Zubaan ek , Hamari Zubaan Qur'an ki Zubaan ek , Tum Ajnabi log ho is Dawat Ke Kaam per Jo Nusrat hum Kar sakte hai'n Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki Wo tum Kya karoge ?
★• _ Is Tehqeer se k tum Ajnabi log ho Zubaan, nahi Jaante hamari ,Hum Nabi ke Kaam ke zyada Haqdaar hai'n ,  Itna kehna tha k Ma'az ibne Jabal Raziyallahu Anhu gusse mai khade hue aur Qais ibne Mataqiya Ka girebaan pakad liya aur Kheench Kar le gaye Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai aur arz Kiya - Ya Rasulallah isne ye kaha hai k hum Aapki madad ke Nusrat ke zyada Haqdaar hai'n,Jo Kaam hum Kar sakte hai'n Wo ye nahi Kar Sakte ,
★• _  Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Ummat ko rang aur Zubaan per Taqseem nahi hone diya , Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ko is per gussa aaya k is Arab ne Apni Arbiyat per Kyu Fakhr Kiya aur gair Arab ko is Dawat illallaah ki Mehnat,Nabi ki Nusrat ke aitbaar se na ahal samjha ,Aap mimbar per tashreef le gaye ,Sahaba Jama ho gaye , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - Arabi Zubaan na ye Tumhari Maa'n hai na ye Tumhara Baap hai k tum Arabi hone per Fakhr Karo ,
★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam itne gusse mai they k Aapne farmaya - Ey Ma'az , is Qais ibne Mataqiya ko Jahannam ki taraf dhakel do , Chunache Rivayat mai Hai k ye islam se murtad ho gaye ,
"_Ye Khud Gehraayi se sochne Ka Waqi'a hai , Khandaan ki buniyad per , Zubaan ki buniyad per,Qabila aur ilm ki buniyad per ye Sochna k hum zyada Haqdaar hai'n  ( Kitna bada jurm aur kitni badi mehroomi Ka Sabab hai )
        ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hazrat Osama Raziyallahu Anhu Ka Waqi'a,*
↬• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Amal se Ummat bana Kar dikhlayi ,
★• _ Hazrat Osama Raziyallahu Anhu Kaale hai'n ,Habshi hai'n ,Rang kaala Naak chapti Hai ,Chehre per Chechak ke daag hai'n ,Inko thokar lagi , Gire aur peshani per khoon aaya ,
Farmaya k - Ayesha iske Chehre se khoon Saaf kar do , Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Mujhe badi ghin aayi k Mai'n kese karu'n ?
★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam khud uthe aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Honto se Apni Zubaan se Hazrat Osama ke zakhm se khoon ko choosa aur kulli ki , Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ko dikhlaya k Ey Ayesha Mai'n Ummat banane ke liye aaya hu'n , Mai'n kisi Musalman ko ruswa karne nahi aaya hu'n ,
★• _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k us din ke Baad se mere Dil mai Jo Osaama ke liye Waq'at aur Muqaam mere Dil mai utra Maine isse pehle kabhi nahi samjha ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Ahle Yaman Ke Murtad Hone Ki Vajah,*
↬• Jitna Ummat mai Fasaad hai Chahe Wo ahle Deen Ke darmiyan ho ya Duniya ke logo ke darmiyan ho ,Ye Sirf Khuda ki qasam Ummat banane ke mizaaje usloob se hatne Ka fasaad hai aur Kuchh Nahi ,
★• _ Ek moqa aur aaya ,Hajj ho raha tha ,Arafaat Ka moqa tha, Tamaam Sahaba Aapke Saath they , Arafaat mai Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ko takheer Hui , Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Sab Muntazir ,Aap Kyu takheer Kar rahe ? Dayr hoti gayi ,Aap Sallallahu Alaihivasallam intezar mai they Hazrat Osama Raziyallahu Anhu Ke ,
★• _ Thodi Dayr ke Baad Osama Raziyallahu Anhu tashreef laye , Ahle Yaman ne kaha k Sirf inki vajah se ? Inki Kya haisiyat hai ? Yaha'n bade bade Sahaba ko roka gaya inki vajah se ?
"_ Yaha'n Sawal iska nahi Tha k intezar kiska ho raha tha Sawal iska tha k intezar Kon Kar raha hai ?
★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Arafaat se chalne mai takheer ki Hazrat Osama Raziyallahu Anhu ki vajah se, Rivayat mai Hai k Puchha gaya k Ahle Yaman ke Murtad hone Ki Kya vajah rahi ? Bataya gaya k Ahle Yaman Ke Murtad Hone Ka Sabab Hazrat Osama Raziyallahu Anhu ko intezar ke liye Haqeer Samajhna hua ,
★• _ Ye misaale hai'n Jinse maloom hota Hai k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ki Wusate Qalbi, Aapne Apni Ummat ko kese banaya ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Gairo ko Islam samjhane Ka behatreen moqa hai,*
↬• Ek to wo hota Hai Jiske baahri Akhlaaq ese hai'n k log khud uski taraf khichte hai'n ,Logo ne isko Kaafi nahi samjha Na'uzubillaah Summa Na'uzubillaah  Koi ye na Kahe inke Akhlaaq banawti hai'n ,inke Saath zyadti Kar ke dekhte hai'n k Waaqa'i Nabi hai ,
★• _ Zaid ibne Saana ( Raziyallahu Anhu ) ek Yahoodi Aalim they, Wo aaye Apni Kitaabo mai Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ka Huliya aur Sifaat padh Kar , Kehne lage Haa'n yahi maloom Hote hai'n Lekin Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Saath zyadti kiye bager to maloom na ho sakega k inke Andar Hilm aur Burdbaari kitni hai , Aapke andar Hilm aur Burdbaari ko jaanne ke liye Zaid ibne Saana ne koi bahana talash Kiya ,
★• _ Isliye arz kar raha hu'n k is Mulk mai Jis tarah se hum Waqt Guzaar rahe hai'n, Musalmano ke mamlaat is Mulk mai rehne walo ko islam samjhane ke liye Sabse behatreen moqa hai aur Mai'n to Kehta hu'n k agar thoda sa Hilm aur Sunnat ke Usloobe Dawat ki taraf aa jaoge to isse Behtar moqa islam samjhane Ka koi nahi ,
★• _ Jaha'n Allah ke Bande ek Qism ke rehte hai'n Waha'n to Allah islam Apni qudrat Apne hukm se layenge  aur Allah Waha'n Jane ki tofeeq bhi de , Lekin Jaha'n Makhloot abaadiya'n hai'n Khuda ki qasam Aap Sallallahu Alaihivasallam wale Hilm , Akhlaaq , Sakhawat ke bager islam samjhana Kitaabo se na Mumkin hai ,
★• _ Islam samjhana Kitaabo se namumkin hai jab Tak mamlaat aur Akhlaaq Ba Talluq Apne Nafs ko kuchal kar Ba Talluq Gairo ke Saath Sahi Akhlaaq se pesh na aaye ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Apni Zarurat Per Kharch Tablig Per Kharch nahi Hai,*
↬• Mai'n Sochta hu'n hamari Jama'ato ki Naqal harkat ye agar Usloobe Dawat per aawe to ye Karne Awwal Ka islam pesh Kar sakte hai'n ,
★• _ Kyu ? Kese pesh Kar sakte hai'n ? Ab to Aap sunenge logo ki Zubaano per Miya'n Wo Zamana gaya , Hazrat Maulana Ilyaas Sahab reh.farmate they - k Agar Aaj bhi Wo Usloobe Dawat ho to Khairul Kuroon us Zamane mai hi nahi Qayamat Tak ke Zamane mai aa Sakta Hai , Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne jis hilm se Ummat ko Ummat banaya hai Uski Aaj bhi zarurat Hai ,
★• _ Zaid ibne Saana Raziyallahu Anhu Aap Sallallahu ke paas aa Kar bethe , Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ko achanak khabar aayi k Fala ilaaqe mai log islam mai dakhil hue hai'n Lekin Waha'n qahatshaali aa gayi , Waha'n Tangi aa gayi hai ,
★• _ Ye Aam mizaaj tha Musalmano Ka ,inke Maal Ka Sabse pehla Masraf islam per Musalman ko baqi rakhna Tha , Abhi Tak nahi maloom Kaam karne walo ko k Allah ke Raaste ki Naqal harkat mai Ummat ko Allah se Jodne ke liye ikraam ke Raaste se Maal kharch Karna ye Asal Dawat Ke Khurooj Ka Masraf tha , Ye Apni zarurat per kharch karne ko Tablig samajhta hai ye Ummat per kharch karne ko Tablig nahi Samajhta , Waha'n Mijaaz ye Tha k Jis taraf se bhi koi khabar aati k Waha'n Ummat Ka ye haal hai , Aurte'n Apne zevraat utaar Kar Aap Sallallahu Alaihivasallam ke saamne dher laga diya karti thi ,Ummat ke Dilo'n ko Jodne ke liye ,
★• _ Aapne Sahaba se Puchha kuchh hai Tumhare paas ? Kuchh nahi , Zaid ibne Saana ko moqa Mila , inhone Sona pesh Kiya , Jaha'n Chahe Aap istemal Kare aur ye qarz hai ,Mujhe iske badle mai itni itni miqdaar khajoore chahiye ,Maamla Tay ho gaya k Qarz Sona liya hai aur iske badle khajoore Deni hai,Tareekh Tay ho gayi k is Tareekh ko qarz Ada Karna hai , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Sona Sahaba ke hawala Kiya k Jao Unki khabar lo ,Un per Tangi aayi hai ,
              
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ka Zaid ibne Saana ke Saath Maamla,*
↬• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Baqi mai tashreef farma they ,Abhi 3 Din baqi they qarz ki Adaygi mai, Teen Din pehle Zaid ibne Saana ( Jannatul ) Baqi  mai aaye aur Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ka girebaan pakda aur Aapko dhakka diya aur Diwaar ke Saath jaa kar Aapko giraya aur Sakht Lehje Mai Baat ki - Kaha tum qureshiyo'n Ka to mizaaj hi tal matol Karna hai Tum Waqt per Adaygi nahi karte ,
★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam intehayi Hilm ke Saath intehayi Burdbaari ke Saath ,Aapne intezar Kiya k mere Saathi is Aadmi ke Saath Kya Maamla karte hai'n ? Sahaba Aap per Jaan nisaar karne wale Unhe Kaha'n bardasht ho Jaye ?
★• _Ye bhi ek Baat hai Muhabbat karne walo ko qaabu mai to rakhna hai lekin Muhabbat karne walo ko nikaalna nahi hai , isliye k Himayat ye Fasaad ko badati hai , Mai'n Aapko Kya batau'n Do Aadmiyo'n ki Ladaai itni nahi hoti Jitna Do Aadmiyo'n ke Himayti usko badate hai'n , Khandaan ko dekh lo ,Ek Ek Ghar ko dekh lo ,Saara Himaytiyo se hota Hai ,
★• _ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Talwaar nikaali aur ye kaha - Ya Rasulallah ijazat dijiye , Mai'n isko qatl Kar du'n , Aapne farmaya- Ey Umar ye Tumne Kya kiya ,bajaye iske k Na'uzubillaah Aap Hazrat Umar ki Himayat karte aur Aap kehte k tu Mera Saath dene Wala hai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya Umar tune Kya kiya , Mujhse kehte k Mai'n iska Haq Ada karu'n aur usko islam mai Mutalba karne Ka islami tareeqa batlate , Umar Jao ,isko le Kar jao Apne Saath Jaha'n khajoore rakhi hai'n , isko iski poori poori khajoore do aur isko tees sa'a khajoore zyada do ,
★• _ Aaj to log kehte hai'n bade bewaqoof log ho ,Apne Himaytiyo ko dabaate ho Daant te ho , Sunnat yahi hai ye be Aqli ki Baat nahi hai Aqalmandi ki Baat hai, Saath Sattar kilo khajoore zyada dilwayi Apne ko Aziyat dene wale ko ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Zaid ibne Saana Ka Quboole Islam,*
↬• Aziyate dene walo per Ahsaan Karo ,isse Ummat banti hai ,
★• _ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne khajoore di , Jab khajoore zyada dene lage to Zaid ibne Saana ne kaha - Umar Mera Haq to poora ho gaya zyada Kyu de rahe ho ? Hazrat Umar ne farmaya munhe Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam Ka Hukm hai k inko khajoore Dena aur Chunki tumne inke Saath zyadti ki hai Talwaar dikhayi hai ,Tumhare liye hai k tum in per Ahsaan Karo ,
★• _ Zaid ibne Saana ne Foran Kalma padha , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Puchha Tum Kon ho ? Unhone kaha Mai'n Zaid ibne Saana hu'n , Hazrat Umar Jaante they inko ,Naam Suna hua tha ,Shaql se waakif nahi they , Farmaya - Wo Yahoodi Aalim ? Aalim Hote hue bhi ye Jahaalat ki Aapne Allah ke Nabi Sallallahu Alaihivasallam ke Saath, Kehne lage- Umar Baat ye hai k Mai'n unko dekhte hi samajh gaya Tha k Ye Allah ke Nabi ho sakte hai'n Lekin unke Hilm ko jaanne ke liye maine Unke Saath zyadti ki ,
★• _ Khawaas Ka nahi Hilm Ka Talluq ek Masjid ke gasht karne wale se bhi hai , isliye k Jab Tak is Kaam mai aane wali na-gawariyo'n ko Muhammad Sallallahu aur Aapke Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki na-gawariyo'n mai talaash nahi Kiya jayega ,Kaam karne walo ko isteqamat nahi hogi ,Aur ye Baat Tay hai Khuda ki qasam is Kaam ke karne walo ko ba aitbaar Aziyato ke ,ba aitbaar tohmato ke ,ba aitbaar rukawato ke ,ba aitbaar ilzamaat ke Wo Sab kuchh pesh aana hai Jo Ambiya Alaihissalam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ko pesh aa chuka hai ,
★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ko isse tasalli di jati thi k Nabi Ji Jo Aapko kaha ja raha Hai Aapse Pehle Ambiya ko kaha ja Chula hai , isliye Daayi ki Sabse Badi Sifaat Wo Sabr aur Tahammul hai , is Sabr aur Tahammul per Jo Madade aati hai'n un madado Ka koi tasavvur nahi Kiya ja sakta ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ka Taa'if Ka Safar,*
↬• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ( Taa'if ) Dawat dene ke liye chale , Aapki Dawat ko Sakhti se Radd Kiya gaya ,
★• _ Kisi ne kaha k Aapke Siva koi nahi Mila tha Na'uzubillaah Nabi bana Kar bhejne ke liye, Kisi ne kaha Mai'n tujhse Baat nahi karna chahta isliye k agar Aap waqa'i Nabi hai'n Jesa k daava hai ,to Aapki Baat se inkaar Kar Dena Musibat se Khaali nahi ,Agar Jhoot hai to Mai'n ese Shakhs se Baat nahi karna chahta ,
★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam itne Gamgeen hue , is Baat Ka Gam nahi k Meri Baat nahi maani gayi ,Allah mujhe maaf farmaye Humme Aapas mai Jhunjhlaahat aur gussa is per hota hai k Meri Baat nahi maante , Aapko Gam iska tha k ye Jahannam Se kese bache ? Aapko Unki Nijaat Ka Gam tha ,Aap Waha'n se nikle to itne Gamgeen they k Aapko Kaanesali pahunchne Tak hosh nahi aaya ,
★• _ Daayi ke Dil ki Wus'at dekho , Waha'n Aap Sallallahu Alaihivasallam ne awaaz suni ,Wo Jibraiyl Alaihissalam ke utarne ki Awaaz thi , Waha'n Aapko hosh aaya , Arz Kiya k mere Saath pahaado Ka farishta is Waqt mojood hai ,Allah ne bheja hai aur ye Keh Kar bheja hai k Do Pahaad ke darmiyan Jitne abaad hai'n Aapki Baat ko na maanne wale ,Un dono pahaado ko Mila kar Sabko khatm Kar de'n ,Aap hukm farma dijiye ,Itni Saari Aziyato ke Baad bhi Aapne Farmaya - Mai'n ye nahi chahta ,
★• _ Farishte ne kaha k Allah ki taraf se ye Baat Tay ho chuki Hai k in me Koi imaan lane Wala nahi hai,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Sabr Kab Tak Kare'n,*
↬• Log kehte hai'n Sabr kab Tak Kare'n, ek saal ho gaya ,Do Saal ho gaya ,
★• _ Mai'n Aapko Kya batau'n Sabr ki talkeen Jinko ki jaati hai Wo aa kar ladte hai'n k kab Tak Sabr Kare'n ,Kaam Chhod Kar Beth Jaye'n ,Muqabla Kare'n Kya Kare'n ?
★• _ Aap dekhenge Nabuwat ki Line mai Dono cheeze nahi milengi ,Na Kaam chhodna milega na muqabla milega , yaha'n haal ye hai Do Chaar mulaqaato ke Baad Baat agar nahi suni gayi to muqable ko Taiyaar,
★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Sahaba ko Sabr Ka esa Aadi banaya Tha k Hazrat Abuzar Gaffari Raziyallahu Anhu Soye hue they Masjid mai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Puchha - Masjid mai Kyu ho ? Arz Kiya Mera koi Ghar nahi Hai, Farmaya Abuzar mere Baad Madina wale Tumhe Yaha se nikalenge to tum Kya karoge ? Arz Kiya Mai'n Mulke Shaam Chala jaunga , Ambiya ki Zameen hai , Waha'n rahunga , Farmaya- Waha'n wale nikalenge tumhe to fir Kya karoge ?  Arz Kiya waapas Madina aa jaunga , yaha'n aa Kar rahunga , farmaya - Ey Abuzar Madine wale fir Dobara nikalenge fir Kya karoge ?
★• _ Apni Ummat ko Sabr Ka esa Aadi banaya Tha Khuda ki qasam Kahi nahi milega k Tumhe ek saal Sabr Karna hai,Do saal Sabr Karna hai ,Ye Baat Wo karte hai'n Jinme Sabr Ka maadda nahi , Aapne farmaya - Ey Abuzar dobara Madine se nikalenge to Kya karoge ? Arz Kiya k un Zimmedaro ka muqabla karunga , Farmaya- Hargiz nahi , Jaha'n Tumhare Zimmedar bheje taqazo per Waha'n Jaate rehna , Jaha'n Saath le Kar Jaye inke Saath Jate rehna , Yaha'n Tak k Mujhse aa Kar Qayamat mai mil Lena ,
*"__ Sabr ki koi muddat nahi batayi balki Haqeeqat ye hai k Daayi ki Qabr Wo Qurbaniyo'n ke Maidaan ke andar hoti Hai aur Kaafiro ki Qabr khwahishaat ke Maidaan ke andar hoti Hai , iski khwahish Ka Maidaan iski Hayaat se bada hua hai aur idhar Daayi ke Sabr Ka Maidaan iski Hayaat se bada hua hai _,"*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hamare Zimme Mehnat hai, Hidayat Allah ke qabze mai hai*
↬• Farishte ne kaha - Allah ki taraf se ye Baat Tay ho chuki Hai k in me Koi imaan lane Wala nahi hai ,
★• _ Muhammad Sallallahu Alaihivasallam aur Tamaam Ambiya Alaihissalam ki Dawat Ka Farq yahi hai k Unhone Apne na maanne walo ko Duae musjabaat se halaak Kara liya , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne inke liye Bad Dua Karna pasand nahi farmaya ,
★• _ Aapse kaha gaya Fala Fala ke liye Bad Dua Kar dijiye , farmaya mujhe Laanat karne wala bana Kar nahi bheja gaya, Mai'n isliye aaya hu'n k Hidayat ki Mehnat karu'n ,
★• _ Hidayat Allah ke qabze mai hai , Mehnat Nabi ke zimme hai , Yaad rakho agar Hidayat Makhlooq ke haath mai hoti to Apne chahne walo ko Hidayat dete , ye Makhlooq ke baantne ki Cheez nahi hai ,
★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ko maloom ho gaya k in me se koi imaan lane Wala nahi hai , Hum to ek Musalman ko ,ek ilaaqe ko ye Soch Kar chhod dete hai'n k in me to gasht Bahut ho gaya koi maanne Wala nahi hai,Baat pahuncha chuke hai'n, Puchhte hai'n Doosra gasht Kitne Mahine Karna hai,Kitne hafte Karna hai ? *Hazrat farmate they- Allah Ta'ala ke Yaha Qurbaniya'n jab matloob darje Tak pahunch jati hai'n Allah Ta'ala ki taraf se Hidayat ke Faisle ho Jate hai'n _,*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Mehnat ki Muddat Mehdood Nahi,*
↬• "_Tanzeemo Ka ye Mizaaj hota Hai k Baat pahuncha Kar faarig ho Jao ,Dawat Ka Mizaaj ye hota Hai k Maut Tak koshish mai lage raho ,
★• _ Ambiya Alaihissalam ese bhi gaye hai'n Duniya se Jinka itteba kisi ne nahi kiya , Unhone Kaam poora Kiya hai , Wo Qayamat mai akele honge ,Ek ummati Saath na hoga ,Ye ( Apni Mehnat mai ) Na-kaam nahi hai'n ,inka bhi Wo hi ajr hai Jo doosre Ambiya Alaihissalam Ka hai , Inka Wo hi muqaam hai Jo doosre Ambiya Alaihissalam Ka muqaam hai ,
★• _ Na maanne Walo ko Chhod Kar nahi Beth gaye ,Apna Kaam poora kar ke gaye, Jab Qaum ki taraf bheje Jane wale Nabi ki muddat 950 Saal ho sakti Hai to Jo Saari Ummat ki taraf bheja gaya Hai Uske ummati ke Mehnat ki muddat Kaha'n mehdood ki ja sakti Hai ,
★• _ Farmaya Aap Sallallahu Alaihivasallam ne k agar ye Tay ho chuka hai k ye imaan nahi layenge to bhi inko halaak nahi karna ,inki pushto mai Jo Aulaade chhipi Hui hai'n Wo islaam layengi , Mai'n Unki paidaish Ka intezar karunga , Mai'n unko Dawat dunga ,Wo imaan layenge ,
★• _ Socho to Sahi Yaha to Jo mojood hai'n unko Dawat dene Ka shoq nahi Waha'n Jo insaniyat Ka Jo hissa vajood mai nahi aaya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam unko Dawat dene ke liye,Sataane walo ko baqi rakhna chahte hai'n ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Afzal Ummat hone Ke Liye Dawat Shart hai,*
↬• Mere Azeezo ! Saari Baat Ka Khulasa ye hai k Sabr aur Tahammul ye Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ki Wo sifat hai Jisse Ummat bani hai ,
★• _ Isliye Apne Aapko Allah ke yaha'n qubool karwane ke liye Sabse buniyadi Baat ye hai k Duniya ke Tamaam Shobo ke mizaajo se nikal Kar hum mizaaje Nabuwat per aa Jaye ,
★• _ Mizaaje Nabuwat Kya Hai ? Aapne Ummat ko Kis tarah sambhaala Kis tarah samjhaya hai , Beshak Amr bil Ma'aroof Nahi Anil Munkar bade farize hai'n Lekin Khuda ki qasam Jis tarah Namaz ke farize Ka tareeqa Muta'iyan hai Usi Tarah bhala'i Ka Hukm Karna aur Buraa'i Se rokna iska bhi ek Muta'iyan tareeqa hai ,
★• _ Is Ummat ke Afzal Ummat hone ke liye Dawat Shart , Qur'an Hadees isse bhare hue hai'n , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k hum nek A'amaal to karte Dawat na dete to hum khayre Ummat na Hote , Allah ne Jo Kuntum farmaya hai iski vajah ye hai k hum bhala'i Ka Hukm Kare aur Buraa'i Se roke ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
       ❈…… .. _*,Daayi Ka Ikhlaas*
↬• Hume Dawat mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki naram mizaaji aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Wusate Qalbi ko Dekhna hai ,
★• _ Jis Wusate Qalbi se Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ummat banayi hai , Baahar Se aane Wala Apne aur Muqaami ke darmiyan koi fark Mehsoos nahi karta tha ,
★• _ Ajeeb Baat hai Fatah Makka ke moqe per Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Jitna Maal aaya Wo Saara Maal Aapne Muhajireen ko Diya , Añsàr ko kuchh na diya ,
★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Saath Deen ki Nusrat karne walo ko is imtihaan se bhi guzara hai k agar Mai'n tumhe kuchh na du'n to tum Kaam karoge ya nahi ,
★• _ Jo Shakhs poochhe Jane Ka Muntazir ho aur taalibe Qalb Ka taalib ho k Mujhe poochha Jaye ,mujhe bulaya Jaye , esa Shakhs abhi Dawat ke Kaam ke Maidaan mai utra hi nahi ,
*"__ Hazrat Maulana Ilyaas Sahab Reh. Farmate they Baaz Kaam karne walo se k agar Mai'n tumhe saal bhar kisi Kaam ke liye istemal na karu'n Bangle wali Masjid mai rehte hue bhi aur Tumhe ye Khayal aa Jaye k Humse Kaam nahi liya Jata to Farmate they ikhlaas nahi Hai ,*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Maal aur Ohda Daayi Ki Aazmaish Ke Liye,*
↬• Daayi ki Aazmaish Ke Liye Sabse Badi Cheez Maal aur Ohda hai , inko Maal aur Ohda Pesh Kar ke inko inke Kaam se hataya jayega ,
★• _ Ye ibtila bhi Sahaba Per aayi , Mash'hoor Maroof Misaal  hai Ka'ab ibne Maalik Raziyallahu Anhu Tabooq Ke ( Dawat Ke ) Safar se reh Gaye ,Saare Taqazo per Hamesha nikle Tabooq se reh Gaye , Allah Ta'ala ne Sakht imtihaan liya k inse Poora Madina bol chaal band Kar chuka tha ,Koi Baat na Kare koi salaam Ka jawab na de , Saare Madina ne mil kar Bivi samet Boycott Kiya ,
★• _ Pachaas Raate guzri is Haal per k Zameen Tang ho gayi Apni zaat per , Ye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko salaam kar ke Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Honto ko dekhte k Salaam ke jawab mai Hont hile ya nahi ,itna Sakht Haal guzra , Kya Baat thi , imtihaan tha , Hum Dekhna chahte hai'n kisi Galti ki vajah se hum Naraaz ho gaye to ye Hume manaate hai'n ya Hume Chhod kar chale Jate hai'n ,
★• _ Allahu Akbar ! Wo Sahaba they ! Is haalat mai Gassaan Badshah ko pata Chala , Moqa Achchha hai Apni taraf inko laao , Muhabbat Ke Dore daalo , Gassaan Badshah ne khat likha ,Khat aaya Resham ke Kapde mai lipta hua , Hum Tumhe thikana denge ,Hum Tumhe Maal denge ,Hum Tumhe izzat denge , Badshah ko Sakht jawab diya uske khat ko tandoor mai jala Kar aur ye farmaya - Ek Musibat to khatm nahi Hui k Allah aur Uske Rasool Naraaz hai'n Doosri Musibat ye aa gayi k Gair Apni taraf bula rahe ,
★• _ Ye imtihaan tha ,Khud farmate hai'n Ka'ab ibne Maalik Raziyallahu Anhu k Allah ne esa Sakht imtihaan kisi Ka nahi liya Jesa Mera liya , 50 Raate Jame rahe is per k nahi kuchh bhi ho Jaye Allah aur Uske Rasool ke alawa koi Raasta Panaah Ka nahi ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Apna Jaan Apna Maal ,*
↬• Hazrat Farmate they - Ka'ab ibne Maalik Raziyallahu Anhu Ke is Waqi'a se Ummat ko ye Sabaq sikhlana tha k Allah ke Raaste mai Khurooj mai kami bila ujr Allah ke Raaste mai na nikalna Allah ki naraazgi Ka Sabab hai ,
★• _ Isliye har ek ki Apni Jeb har ek Ka Apna Maal , Mujahida kaamil hota hi nahi hai jab Tak is Raaste mai Apna jaan aur Apna Maal kharch na Kare ,Ulma NE likha hai Jo Tablig doosre ke Maal per ho Wo be asar hoti Hai Kyunki Maal iska na hona iske Mujahide ko naakis Kar dega ,
★• _ Ek Sahabi ne aa Kar arz Kiya Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se k Amirul Momineen Mai'n Allah ke Raaste mai nikalna chahta hu'n meri madad kijiye , Umar Raziyallahu Anhu ne ek Jamidaar ke hawale unko Kiya k le jaao isko ,isse Kaam lo , Wo le gaya ,Ek muddat Tak Apne paas rakha fir Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ke Paas le Kar aaye k Ye iski majdoori hai , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne un Sahabi se farmaya- Lo ye Paise ab Tumhe akhtyar hai isko Allah ke Raaste mai Kharch Karo ya Apni zarurat per kharch Karo ,
★• _ Tawakkul ko Asbaab per nahi daala , Tawakkul kiss kehte hai'n ? Tawakkul Allah aur Bande ke darmiyan ek Poshida Raaz hai , Jab ye Raaz kisi Teesre per khul Jaye to Samajhna chahiye k ab Tawakkul khatm ho gaya ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Bilkis Ka Suleman Alaihissalam Ko Sona Bhejna,*
↬• Ek Kaafir Aurat ko bhi itni Aqal hai k Nabi ki Nabuwat ko Aazmaane ke liye Maal pesh Kar ke Dekhna chahiye k Nabi hai'n to Radd Kar denge aur Badshah hai'n to qubool Kar lenge ,
★• _ Bilkis ne Hazrat Suleman Alaihissalam Ko Maal pesh Kar ke Dekhna chaha ,Allah ne batla diya k Hadiye mai Sone ki Eint aa rahi Hai , Farmaya is Eint ke aane se pehle pehle Saara Maidaan Sone Ka bana diya Jaye ,
★• _ Jinnaat lag Gaye Kaam mai ,Sara Maidaan Sone Ka bana Kar ,Saari Zameen Sone ki Bichha Kar us per Jaanwar Chhod diye Gaye Taki us per gobar, peshaab Kare , Ye batane ke liye k Jo Sona tum Hume margoob karne ke liye laa rahe ho uski hamare yaha'n ye haisiyat hai k Hamare Maweshi Tumhare bheje gaye Sone  ke Jese Hadiyo per peshaab karte hai'n ,
★• _ Allah Ta'ala Ambiya Alaihissalam ko Hikmat isliye dete hai'n Taki Wo Makhlooq ki Hidayat Ka zariya bane Lekin Yaad rakhna chahiye k Jinme Maal ki Hirs hoti Hai Allah Ta'ala Unme Hikmate nahi kholte hai'n , Hukumate nakaam isliye hai'n Kyunki un per hikmate nahi khulti ,
★• _ Jaha'n se Bilkis ke Sona laane wale Logo ko guzarna Tha Waha'n se Raaste mai Ek Eint ki jagah Khaali Chhod di baqi Saara Maidaan Sone Ka bana diya gaya Tha, Eint ki jagah Khaali ruswa karne ke liye , batane ke liye chhodi , Unhone dekha to bajaye Sone ki Eint Suleman Alaihissalam ko pesh karne ke Us laayi Hui Eint ko Wahi faink diya k ilzaam lagega k yaha'n se utha Kar de rahe hai'n ,
*"__ Jab Tak Allah se Lena nahi seekhoge Dar Dar ki thokre hi khaate firoge , Hume Allah ne Jo kuchh Diya hai Wo isliye Behtar hai k Hume Allah ke khazaano se Lena aata Hai ,Tumhe Lena nahi aata Faqeer tum ho , Badshah hum hai'n Hume Allah se Lena aata Hai _,"*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
*         ❈……↬• Taqwe Ka Kalma,*
★• _ Is Raaste mai Apne Aapko Allah ke yaha'n Taqwe se qubool karwana hai , Saari Nekiyo'n Ka Saari Koshisho Ka Madaar Taqwe per hai ,
★• _Taqwe Ke bager koi Amal qabile qubool nahi aur Waaqa'i Kalma E Laa ilaaha illallaah isko Taqwe ka kalma farmaya hai , Taqwe ke bager is ( Dawat ki Mehnat ke ) Raaste mai nahi Chala ja sakta ,
★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Apni Ummat ko Maal se Bachaya aur esa Mijaaz banaya Tha Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ka k Jab Maal aane laga to darne lage Rone lage  k Kahi Allah ne hamare A'amal Ka badla Duniya hi mai to nahi de diya ,
★• _ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Ek Bori bhar Kar Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke paas bheji , To itna Maal dekh Kar farmane lagi - Ek Aurat ke zimme Taqseem ke liye itna Saara Maal bhej diya Halanki ek Aurat Ghar mai bethi hai Ye kese Taqseem karegi Aur ise Kya maloom Kon Haajatmand hai Kon Maaldaar hai ? Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya- Maine Taqseem karne ke liye Aapke Paas nahi bheja Ye to Aapki  Apni zaat ke liye hai ,
"__ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne Dua farmayi - Ey Allah ab Maal aane laga hai , Tu  Umar ke Paas Agle Saal Maal aane se pehle pehle mujhe Duniya se utha le ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Qanoon Sirf Allah Ka Hai ,*
↬• Jitni Ummat per Tangiya'n hai Kisi bhi Line se , in Tangiyo'n se nikalne ke liye Sabse buniyadi Cheez Taqwa hai ,
★• _ Isliye Allah Ta'ala Taqwe per  vaade farmaye hai'n aur khoob vaade farmaye hai'n ,Paanch Vaade hai Taqwe per , Farmaya Jo Taqwa akhtyar Karega hum uske nikalne Ka Raasta banayenge ,
★• _ Rivaayato mai aata hai k Saato Asmaano Zameen Mila diye Jaye aur Waha'n kisi ko Gunaah Ka moqa Diya Jaye aur Wo Us Gunaah Se bachna Chahe to Allah Ta'ala Saato Zameen Asmaan se nikalne Ka Raasta bana denge ,
★• _ Bahut Saare Umoor , Bahut Saare Qawaneen ese hai'n k Musalman ye Keh Kar Beth gaya Hai k hum Kya Kar sakte hai'n  Ye to Qanoon hai , Qanoon sirf Allah ka hai , Jab Tak Khuda ki qasam Qanoon ko Allah ka Qanoon nahi samjhega ye Kabhi Duniya ke Qanoon Ke muqable mai Kaamyaab nahi ho Sakega ,Ahkaame Shari'at ko Duniya ke Qanoon Ke muqable mai laa Kar chhod dega ,Vajah ye hai Allah ke Qanoon ko Asal Qanoon nahi samjha balki Makhlooq ke Qanoon ko Qanoon samjha ,
★• _ Jo Shakhs Jitne Deen per chalne ka akhtyar rakhta Hai utne Deen per agar nahi chalega to Allah Rabbul izzat Deen Ke un umoor per Jin per Chalne Ka  akhtyar nahi hai , Musalmano ki madad Gairo ke muqable per nahi Karenge , Tum Jitna Kar sakte ho Usko Poora Karo , Yusuf Alaihissalam ye Keh Kar nahi Beth gaye Na'uzubillaah k Mai'n Kya Kar Sakta hu'n Darwaze band hai'n ,nikal nahi Sakte , Balki uth Kar bhaage , Ek darwaze per pahunchte darwaza khul jata tha ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Sawal Se Bachne Per Ek Sahabi Per Rizq Ka Darwaza Khulna,*
↬• Allah Ta'ala Ka Taqwe per Vaada hai k Tum Sawal se bachna chahoge hum Tumhe Esi Jagah se Rizq denge Jaha'n se uska aana Mumkin nahi ,
★• _ Log samajhte hai'n Sawal se Masla Hal ho jayega , Sawal se Masa'il Hal nahi Hote Sawal se Masa'il paida Hote hai'n , Sawal se Fakr Ka darwaza khatm nahi hota Sawal se fakr badta hai ,
★• _ Ek Sahabi Fakr se tang aa kar nikle Ghar se ,Bivi ko Khayal hua Kahi esa na ho Pados mai Kahi ja Kar ghar Ka haal khol de , Bivi ne Khaali  chakki  chalani Shuru Kar di k awaaz hogi chakki chalne ki , Ghar ke tandoor mai  Aag jalayi Taki Dhuwa uthe aur Log dekhe k inke yaha'n to khana bhi pak raha hai , Aata bhi pis raha hai ,
★• _ Sahabi ne dekha Dhuwa uthta hua ,Palat Kar Ghar aaye ,Kya Baat hai Pakaane ko to Kuchh hai nahi Ye Aag Kyu jal rahi Hai , Bivi ne kaha -  Tum ghar se nikle to mujhe khatra hua Kahi Sawal na Kar betho ,Maine Tanddor mai Aag jala di aur chakki ko Chala diya , Allah ki Shaan Chakki khud ba khud chal rahi thi ,Usse aata nikal raha tha ,Jabki Ghar mai Khaane ko daana nahi Tha , Dandoor mai jhaank kar dekha to Saara tandoor Bakre ki taango se bhara hua tha ,
★• _ Khayal mai aaya k chakki Ka paat utha Kar Dekhna chahiye, Unhone Chakki Ka Paat utha Diya ,Subeh Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam se aa kar  arz Kiya- ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam raat ye hua , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Agar Tum Chakki ke paat ko na uthate Chalne dete to Qayamat Tak chalti rehti ,Aata nikalta rehta ,
*"__ Jab ek Fard ke Fakr chhipane per itna aata mil Sakta tha Hamesha Ke Liye to Socho to Sahi agar Musalman ijtimayi Tor per Apne fakr ko chhipaye to Kitne Rizq ke darwaze khul gaye Hote ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Aus bin Maalik Raziyallahu Anhu Ki Rihayi ka Waqi'a,*
↬• Sawal Aamdani Ka zariya nahi Hai, Sawal Aamdani ke khatm hone Ka zariya hai ,
★• _ Ek Sahabi they Aus bin Maalik Raziyallahu y inke Waalid inki Rihayi se Mayoos ho gaye , Ye mushrik ki qaid mai they ,Sakht Jail Mai , Arz Kiya- Mai'n apne Bete ki Rihayi se Mayoos ho chuka hu'n ,Arsa guzar gaya usko qaid mai , Kyu karu ? Farmaya - Usse kaho " Laa Hawl... " padha Kare , 
★• _ Unhone Laa Hawla Wala Qawwata illa Billa Hil Aliyil Azeem Padha , Qaid khana Taat Ka bana hua tha ,Taat tukde tukde ho Kar gira ,Ye Waha'n se nikle ,Ek ountni bethi Hui thi ,Us per sawaar hue , Baahar Maidaan Saara Ounto se bhara hua tha Mushrikeen Ka , Ek ishara Kiya , Wo Saare Ount Unke pichhe ho gaye , Sabko le kar Ghar pahunche , aa kar arz Kiya - Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ye hua , Tab ye Aayat Naazil Hui _" Hum Rizq ke dene mai Zameen ke paaband nahi hai ,
★• _ Kyunki Zameen qudrat ke ta'arruf ke liye hai , Zameen Qudrat se lene ke liye nahi hai , Agar Rozana in Shaklo Ka inkaar nahi karoge to rafta rafta Musalman ko le ja Kar Zameen ke tashakkur per amaada Kiya jayega k Zameen Tumhe Galla de rahi hai Zameen Ka Shukriya Ada Karo , Zameen Tumhe Galla de rahi Hai,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
          ❈…… .. _*Shukr Kya Hai ?,*
↬•★• _ Shukr Sirf Zubaan ke kalamaat Ka naam nahi hai , Asal Shukr ye hai k Aadmi Dil se Allah ke saamne jhuke k Ey Allah Shukr Tera karta hu'n ,
★• _ Lekin agar Zameen Ka inkaar nahi karoge to Zameen ke Shukr per Majboor karenge k Zameen Ka Shukriya Ada Karo , Zameen Tumhe Galla de rahi hai , Hum bhi Zameen se galla le rahe hai'n aur tum bhi Zameen se galla le rahe ho  to Shukr to dono per Waajib Hai , to Shukr Mai dono mushtarak hai , Hargiz nahi Khuda ki qasam Allah ke gair ki taraf Ni'amat ki nisbat shirk hai ,Allah ki zaat ki taraf Ni'amat ki nisbat Karna Shukr hai ,
★• _ Hazrat Ibrahim Alaihissalam ko yahi do baate farmayi , Jo Ni'amat ki nisbat Makhlooq ki taraf Kar ke Makhlooq ki taraf jhuk Jaye usko Mushrik kehte hai'n , insaan kisi bhi tarah Ka Sabab akhtyar karta Hai fir is Sabab KE akhtyar karne ke Baad zarurat ke poora hone ko Allah ke gair ki taraf mansoob karta Hai , Allah ne ye khoob Qur'an mai samjhaya -
"__ Ye Apni Bivi se milta hai ,Halka sa Hamal thehar Jata hai, Ye ( Bivi ) Hamal ko le Kar firti rehti hai Ghar ke kaam kaaj mai ,Jab Hamal bhari ho jata Hai to Dono ( Miya'n Bivi ) Dua Karte hai'n - Ey Allah ! Tu is Bachche ko Apni qudrat se theek thaak paida Kar de ,Hum kahenge Tune hi Kiya hai , is Bachche ko Tangi se Hum jab Apni qudrat se nikaalte hai'n , Aqal hairaan hoti Hai yaha'n ,Lekin hum jab Apni qudrat se dete hai'n ,Sirf hamare diye hue mai ,Hamare Amr mai hamare gair ko Shareek thehrate hai'n ,
★• _ Doctor Sahab Aap na Hote to jachcha Bachcha bachne wale nahi they ,Sirf Aapne hi Kiya hai, itna hi nahi Auro ko bhi Mashwara dega Fala Doctor ke paas jana ,Allah ne uske haath mai Shifa rakhi hai ,
*★• _ Allah Kisi ke haath mai Shifa nahi rakhte ,Allah Ta'ala har Aan Har Ghadi Apne haath mai Shifa rakhte Hai'n ,*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Allah ke Gair Ka Roab Kab Dil mai aata Hai?,*
↬• Agar Shaklo Ka inkaar nahi karoge to in Shaklo ke tashakkur Tak pahunch Jaoge ,
★• _ Allah ke gair ko Musalman se bulwane mai Gair tab Kaamyaab Hote honge Jab Musalman Khud Ba Zaate Allah ko bolna Chhod denge , Musalman Rozana khud Jab Tak Allah ki taraf Dawat nahi dega isse Shirk bulwaya jayega ,Ye majboor ho jayega ,
★• _ Musalman ke kisi bhi Fayl mai ,Kisi bhi Amal mai ,kisi bhi farize mai kisi tarah ki mudakhlat dakhal andazi ke khilaf Allah ki Madad Nahi aayegi jab Tak Musalman Dawat per nahi aayega , in tansurullaah yansurukum , Agar tum Dawat per nahi ho to Allah Ta'ala Baatil ke khilaf tumhari madad nahi karenge , Ye ek Haqeeqat hai ,
★• _ Zara jao Daure Sahaba ki taraf to maloom hoga k Ahkaame Shari'at mai dakhal andazi karne walo ko Allah Ta'ala ne Kis tarah nakaam kiya hai ,
★• _ Asal Baat ye hai K Jitna Allah ka gair hai ,Uska Roab Musalman ke Dil mai aata hi jab Hai ,Jab Allah ka Roab nikal Jata hai aur iske nikalne ki vajah ye hai k ye Rozana Allah Ta'ala ki toheed aur uski azmat ko bolna Apna Kaam nahi samajhta ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Apne Maamlaat mai Taqwa Lao,*
↬• Taqwe per Doosra Vaada ye hai k Allah Ta'ala isko Rizq Waha'n se denge Jaha'n Inka Khayal Gumaan nahi pahunchega ,Isliye Sahaba Kiraam ki Tamaam Gaibi wo Unke Taqwe ki den hai'n ,
★• _ Ek Vaada ye farmaya k Hum muttaqi ke Kaam mai Asaani paida karte hai'n , Teesra Vaada ye farmaya k Muttaqi ke Kaam mai hum Ajr ko bada denge aur Pichhle gunaah maaf Kar denge ,
★• _ Sabse Zyada zarurat to Apne Maamlaat mai Taqwa lane ki hai , insaan Ka Badan ibaadat Ke Liye bana hai ,Haraaz Giza isko ita'at ki taraf kabhi nahi Chala sakti ,
★• _ Isliye Farmaya k Agar Sabr aur Namaz ke zariye madad chahte ho to Ek hi Raasta hai ,Apne Maamlaat ko hukm per le aao ,
★• _ Yaqeen ki kharabi ne Sood mai esa jakad diya hai k Musalman ye Kehta hai k Sood ke bager kese Kaam chalega ,? Tractor Sood per liya hai aur Allah walo se Baarish ki Dua ki Darkhwast hai , Asbaab Haraam liye hue hai'n Duao'n se Kaam chalana chahte hai'n,
*"__ Yaad rakhna, Jab Dua Haraam gizao'n se mardood ho jati hai to ibaadat kese Maqbool ho jayegi ? Jabki Saari Duae'n ibaadat Ka magz hai'n , Jab Dua mardood hai Haraam Kamaa'i ke Saath,Sood se Jhoot se ,Gaban se Jaha'n Jaha'n se bhi Haraam Kamaa'i ki shakle hai'n , Ye bhi Yaad rakhna k Haraam Kamaa'i per istigfaar Kar lene se Haraam Halaal nahi ho jayega ,Haraam Haraam hi rahega ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Apni Giza Ko Pakiza Bana Lo,*
↬• Mere Dosto ! Kisi Gunaah per itni Sakht Wa'ied nahi Hai Jitni Sood per hai , Kisi gunaah Karne wale ko nahi kaha k Ye Gunaah Kar ke Allah Ta'ala se Uske Rasool se Jung Kar raha hai ,
★• _ Sochne ki Baat hai , idhar to Sood per Sood le Kar Allah Ta'ala se Jung chal rahi hai , Udhar Dua chal rahi hai , Isliye Sabse pehle Taqwa Lana hoga Maamlaat mai ,
*★• _ Hazrat Farmate they - Log Haraam ke LuKme ko mamooli samjh Kar khaa lete hai'n , Lukma Samandar hai , Khayalaat iske Moti hai'n , Pakiza Lukma hoga ,Pakiza Giza hogi to Pakiza A'amaal honge _",*
★• _ Mai'n to Yaqeen se Kehta hu'n Sirf Giza ko Pakiza Bana Lo to Mamlaat,Ma'ashrat , Akhlaaq teeno line khud ba khud Durust ho jayengi in Sha Allah ,
★• _ Koi Tehqeeq hi nahi karte maal Kaha'n se aaya , Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ko Unke gulaam ne Bhook ki shiddat mai Ek Lukma khila diya Kahanat ki Asmdani Ka , Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne us LuKme ko nikaala halaq se , Jab na nikla to Paani pi Kar Kay Kar ke nikala , Logo ne Lukma dekh Kar kaha - is Zara se LuKme ke liye Aapne itni koshish ki , Farmaya - Agar Meri Jaan de Kar nikalta to Mai'n isko nikaal ta , *-Jo Katra Khoon Ka Haraam Maal se taiyaar ho Jahannam ki Aag uski zyada Haqdaar hai _,*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hazrat Umair Ibne Sa'ad Raziyallahu Anhu Ka Waqi'a,*
↬• Ye Baat Yaad rakhna , ibaadat se pehle , Akhlaaq se pehle ,Sabse pehle Mamlaat ko Hukm per Lana hai , isliye k Khoon ko Paak rakhna hai ,
★• _ Ajeeb Qissa hai ,Ek Sahabi They Hazrat Umair ibne Sa'ad Raziyallahu Anhu , Umar Raziyallahu Anhu ne Unhe Governor banaya Hims per , Jitne bhi Ohde hai'n , Allah Ta'ala Ohde Apne Bando ko Sirf isliye dete hai'n Taki inke zariye Makhlooq ki zaruriyaat poori ho , inke zariye insaaf qaa'im ho , Agar ye Zaalim honge to Allah Ta'ala inse Chheen Kar Doosro ko denge ,
★• _ Ese Governor nahi Hote they k moqa Mila hai kamaane Ka Kama lo , Ese Governor Hote they k moqa Mila hai Aakhirat banane Ka Aakhirat bana lo , Umair ibne Sa'ad Saal bhar Governor ban kar rahe , Umar Raziyallahu Anhu ko Khayal hua Ek saal ho gaya hai ,Unhone abhi Tak koi Zakaat ki Raqam yaha'n nahi bheji , Maal ko laa Kar Hume Dena Tha ,Hum kharch karte Jaha'n kharch Karna tha , Umar Raziyallahu Anhu ne unko khat likha ,Khat ko Zameen per rakhne se pehle pehle Meri taraf chal Dena ,
★• _ Umair ibne Sa'ad Raziyallahu Anhu ne khat padha ,Khat padhte hi foran ek Thela ,Usme Ek Piyala ,Ek lota vazu ke liye,Thodi si khajoore li aur Hims se 2000 Kilo meter tak Ka Safar Tay Kar ke Paidal Madina Munawwara pahunche , Waha'n pahunche to Baal bade bade ho gaye , Gunaar Aalood Kapde ,Jism ,
★• _ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu pehchan to gaye ,Puchha Ye Kya shakl banayi hai ,Kya Huliya banaya hua hai ,Farmane lage - Umar Mera Huliya Kya dekh rahe ho ,Tumhe maloom nahi Mera khoon Paak hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hazrat Umair ibne Sa'ad Raziyallahu Anhu Ka Governori inkaar,*
↬• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya - Wo Maal Kaha'n hai Jo Tumhe lene ke liye bheja tha ,
★• _ Farmane lage - Us Maal mai na Tera koi hissa tha na Mera koi hissa hai , Waha'n gaya ,Maaldaaro se Maal Vasool Kiya , Fuqra ko Diya aur AA gaya waapas ,Hazrat Umar ne Puchha - Tum Waha'n ( Hims ) se Paidal chal ke aaye ho , Governor ho Kar , Ye Tamaam ohdedaaro ke Sochne ki Baat hai , Us Zamane mai Ohda Akhirat ke liye, khidmat karne Ka naam Tha , Duniya sametne ke liye nahi Tha ,Ohda koi mansab nahi Tha ,Ohda Makhlooq ki khidmat Ka ek unwaan tha ,
"__ Farmaya- Sawaari Ka Maine Sawal nahi Kiya , Unhone Sawaari di nahi , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya- Bahut hi bure Musalman hai'n Hims ke ,Ek saal Unki khidmat ki aur Tumhe Sawaari bhi na di , Farmaya - Ey Umar Allah se Dar , Geebat na Kar Allah ne Geebat se roka hai , Wo ( Hims wale ) Namaz padhte hai'n,Wo Musalman hai'n ,
★• _ Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya- batao Maal Kaha'n Hai ? Farmaya- mere paas koi Maal nahi Hai,Meri Saari Duniya ye hai Mera Thela , Hazrat Umar ne farmaya k inhe dobara banao Governor , Kehne lage - Umar Mai'n Governor nahi banunga ,na Tere Liye na Tere Baad kisi khalifa ke liye , is Governori ki vajah se Ek Yahoodi ko Meri Zubaan se gaali nikal gayi , Ye Governori ki vajah se hua , Mai'n Aaj ke Baad kabhi Governor nahi banunga , Governor ese Hote they ,
★• _ Ohdedaaro ke liye Sunne ke qisse hai'n ye , Ek Musalman Governor ko Ek Yahoodi ke liye Zubaan per gaali aa gayi to farmaya aaj ke Baad governor nahi banunga ,
★• _ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Apne ek Aadmi se kaha - Ye 300 Asarfiya'n le jao Umair ke ghar ,Chhipa kar rakhna ,Dekho k Achchhe Halaat hai'n to Asarfiya'n waapas le aana aur dekho k Tangi hai to ye Asarfiya'n unko de Dena ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Umair ibne Sa'ad Raziyallahu Anhu Ka Maal lene Se inkaar ,*
↬• Umar Raziyallahu Anhu Ke bheje hue Aadmi ne Teen Din Umair ibne Sa'ad Raziyallahu Anhu Ke Ghar Mehmaan ban kar Qayaam Kiya ,
★• _ Teen Din Tak Ek Roti inko khilayi jati ,Teen Din Tak ibne Sa'ad aur Unki Bivi ne Faaka kiya ,Ek Roti Rozana pakti thi Ghar mai Wo mehmaan ko khila dete they , Teen Din ke Baad Hazrat Umair ne mehmaan se kaha - Hum to bade faake mai Tangi mai aa gaye ,Ab tum kisi aur Ghar mai chale jao ,Ab Humse Faaka bardasht nahi ho raha Hai,
★• _ Khayal aaya ,Ye ho raha hai inke Ghar mai, Farmaya - Ye lo 300 Asharfiya'n Ameerul Momineen ne di hai Aapke liye , Hazrat Umair ne ek cheekh maari ,aur kaha - Ye Maal mujhe nahi chahiye ,Waapas le jao , Bivi ne kaha - Yaha'n Muhajireen ki Aulaade hai'n ,Wo Sahaba Jo gazwaat mai Shaheed hue Unki Bevae'n Aurte'n hai'n ,Unme Taqseem Kar dena ,le lo , Umair ne kaha - mere paas to koi kapda bhi nahi Jisme in Asharfiyo'n ko rakhu ,Mere Paas Koi Sandook bhi nahi ,
★• _ Rivayat mai Hai Bivi ne Aage se Apna Daaman faad kar diya ,Usme Asharfiyo'n ko baandha , Waha'n se foran Asharfiyo'n ko le Kar nikle aur Saari Asharfiyo'n ko Muhajireen mai aur Fuqra e Sahaba mai Taqseem Kar ke waapas aa Gaye , Haaris ye manjar dekh Kar waapas aaye ,Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Puchha Kya hua , Poora Waqi'a sunaya ,
★• _ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne dobara bulwaya Hazrat Umair ibne Sa'ad Raziyallahu Anhu ko , Ye aaye ,Puchha - Tumne Kya kiya Maal Ka Jo Maine Tumhe bheja tha , Farmaya - Umar Allah ke liye dete ho fir Puchhte ho Kya Kiya ,Tumhe Kya matlaba , Mai'n Janu Mera Rab Jane , Hazrat Umar ne kaha- Mai'n qasam de Kar Kehta hu'n Tumhe batana padega ,
"__ Farmaya - Maine Aakhirat ke liye Wo Maal aage bada diya , Waha'n zyada zarurat hai , Sahaba Kiraam ke Waqi'aat hai'n K Badi Sakht zarurat Ka Waqt aa raha hai , Waha'n Kaam aayega ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Allah ne Maal ko Raddi bana diya ( Note Bandi se ),*
↬• Aaj hum bacha bacha Kar rakhte hai'n Agli zarurat ke liye ,Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Us badi Sakht zarurat ke waqt ke liye Maal ko kharch karte they ,
★• _ Allah ki Shaan dekho , logo ne Maal ko chhipa chhipa kar rakha ,bacha bacha Kar rakha , itna hi nahi is Baat ki Parwaah bhi nahi ki k Zakaat Ada karni hai ,Allah ne Saare Maal ko ek Raat mai Raddi bana diya , Tum rakho chhipa Kar ,
★• _ Khuda ki qasam Khaa Kar Kehta hu'n ,iska ilzaam hukkaam per nahi ,Apne per hai , Hazrat Farmate they - Hukkaam to Musallat kiye jate hai'n Hukm todne walo per , Allah ne Chand ghanto mai Saara Maal Raddi Kar diya , Koi fakeer Jo ek Rupiya le Kar Khush ho jata tha ,Hazaar Ka not pakadne ko Taiyaar nahi hua ,
★• _ Hazrat Hamesha arz karte they- Jo Musalman Apne Halaat ko A'amaal see nahi jodega Wo idhar udhar jhaankta firega ,ek doosre ko ilzaam dega ,
★• _ Chunache Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya- Umair ko 30 sa'a Joa de do aur Kapde bhi de do , Hazrat Umair ne farmaya- Mujhe Joa nahi chahiye ,Galla mere Ghar mai Aaj Ka Mojood hai ,Kal ko Allah de dega ,Galla nahi chahiye , Haa'n Meri Bivi ke paas Kapda nahi Hai ,Wo nangi hai ,ye Kapda le Jata hu'n ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ka Bachcho Se Pyaar nahi karne wale Ko Governor na Banana,*
↬• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ek Saathi ko Governori ke liye chhaanta K Haa'n Aitmaad Ka Aadmi bhi Hai ,
★• _ Farmaya k jab Jaane Lago to mujhse ilaaqe walo ke Naam  Governori Ka khat le Jana , Umar Raziyallahu Anhu ne Ahadnama Likh Kar rakha ,muhar lagayi , Dekho kitni barikiya'n dekhi jati thi , Yaha'n to Jisko chaho muntakhab Kar do ,
★• _ Ye nikalne ke liye taiyaar hue ,Sawaari per Samaan rakha , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ke Paas Haazir hue , Aa kar bethe , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Governori Ka khat dene hi wale they k Achanak Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ke Paas Bachcha khelta hua aaya ,Umar Raziyallahu Anhu ne usko uthaya ,pyaar Kiya , Seene se lagaya ,
★• _Ye Sahab Kehne lage - itna Kaam Aapke Paas hai , itne fikar mai doobe hue Hote hai'n,itne bade Aadmi fir bhi Bachcho Se Pyaar Kar rahe ho ? Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya k Kya tum Bachcho ko pyaar nahi karte ? Kaha - nahi , Mai'n to nahi karta  ,
★• _ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Ahadnama utha Kar faada aur farmaya - Jao apne Ghar ja Kar betho , tum Governori ke qabil nahi ho , Jo Apni Aulaad ko pyaar nahi deta Wo Waha'n ja Kar Ri'ayaa ki Aulaad ko Kya pyaar dega ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Chhota Ban Kar Chalne Ka Kaam,*
↬• Ye ( Dawat E Tablig ) Ka Kaam Taqwe ke Saath karne Ka Kaam hai ,Bahut darte hue Karna Ka hai ,
★• _ Chhota ban Kar chalne Ka Kaam hai , Duniya ke kaam bade ban Kar kiye Jate hai'n, Dawat Ka Kaam Chhota ban Kar karne Ka hai ,Tawazo ke Saath karne Ka hai ,
★• _ Abdullah ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k agar koi Shakhs mujhe bajaye Abdullah Kehne ke, Bajaye Masoud Ka Beta Kehne ke  Gobar Ka Beta Keh Kar pukaare aur iske badle mai Allah mere Gunaah Maaf Kar de, to mujhe ye naam zyada pasand hai , Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Nek Naami aur Shohrat isko Jaante hi nahi they , Karamaat se bachte they , Madina Munawwara mai Aag nikli , Esi Aag Jo Saare Madina ko Jala Kar khaak Kar deti , 
★• _ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya Tameem Daari Raziyallahu Anhu se k Tameem ye Aag nikli hai Pahaad se ,Jaao isko Pahaad mai dakhil Kar ke aao , farmaya- Amirul Momineen Mai'n Kya Meri haisiyat Kya , Mere karne Ka Kaam nahi hai Kisi aur se kara lijiye , Farmaya nahi Tameem ye Kaam Tumhe Karna hai, Kehne lage Ye to ek chingari hai Aag nahi ,Ye mushkil Kaam nahi hai lekin Mai'n nahi karna chahta,
"__ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne Puchha- Kya Baat hai ? Kyu nahi karna Chahte ? Kehne lage - Meri karamat zaahir ho jayegi , log kahenge ye Karamaat wale hai'n inke zariye Aag Pahaad mai dakhil Hui ,log mujhse milenge ,mujhe pehchanenge ,
★• _Ese mukhliseen hua karte they , farmaya Aapka hukm hai to Mai'n hukm poora karta hu'n , Aag ko samet Kar le gaye aur Pahaad ki Khoh mai dakhil Kar ke aaye ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Ummat Ban Kar Dawat Do,*
↬• Hun is Dawat Ke Kaam mai ikhlaas se aur Taqwe se chal sakte hai'n, Is Kaam ko Saleh ,Saaf Dil rakhne Wale Chahiye ,Sabse Pakiza Dil rakhne Wale, Gehraayi rakhne Wale, Saada Zindgi rakhne wale Chahiye ,
★• _  Is Kaam mai Apne Aapko qubool karwane ke liye ye buniyadi baate hai'n Jo Maine Arz ki hai'n , Ek to wus'ate Qalbi hona chahiye , K Har fard ko har ek ko Dawat de'n , Ye Asal Cheez hai , Ummat banti hai infiradi Dawat se ,ilaaqayi , Qaumi , Biraadri ki buniyad per Dawat dene Se Ummat nahi bana karti ,in Tamaam nisbato se Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Apni Ummat ko hataya hai ,
★• _ Isliye infiradi Dawat aur Umoomi Dawat Khoob de'n , Aur Yaad rakho Allah ke Raaste mai Ajnabi logo ke Saath nikla Karo , Ajnabiyo'n ke Saath nikalna ye Akhlaaq ko Achchha Bana dega aur Qaum mai Ba izzat bana dega ,
★• _ Hadees Paak Ka Mafhoom hai farmaya Aap Sallallahu Alaihivasallam k Allah ke Raaste mai nikla Karo Apni Qaum ke alawa ke Saath, Akhlaaq Tumhare ounche ho jayenge ,Qaum mai Ba izzat ho Jaoge ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Qurb Qubuliyat Ki Alaamat Nahi,*
↬• Apne Aapko Qurbaniyo'n Se qubool karwana hai , Kisi Ka qurb Mil Jana Qubuliyat ki Alaamat Nahi hai,
★• _ Do Sahabi Hazrat Suhel ibne Amr aur Hazrat Haaris ibne Hishaam Raziyallahu Anhum ,Ye Dono Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ke Daaye Baaye aa Kar bethe ,Kamra Khaali tha , Kehne lage Hume to Ameer Ka esa Qurb mil gaya Hai k Hume koi yaha'n se hata nahi Sakta aur hum yaha'n se ja nahi Sakte ,
★• _ Thodi Dayr ke Baad aaye Maidano se Mehnat kar ke ,ilaaqo se Waqt poora Kar ke Ansar aur Muhajireen ki Jama'ate ,Jo bhi aata inse kehte - Sohel Zara pichhe hato , Haaris Zara pichhe hato , inko aage Lao , Farmate hai'n Rivayat mai Hai k dono hat te hat te kamre ke darwaze Tak pahunch gaye, Waha'n bhi Muhajireen aur Ansar aaye to inhe Kamre se Bahar nikalna pada ,
★• _ Bahar nikal Kar dono Kehne lage ek doosre se ,dekho Aaj hamare Saath Kya hua hai ,Hum Sabse aage bethe hue they Kamre se Bahar nikal Gaye , Lekin Wo bhi Sahaba they , Unhe bhi Maloom tha k Galti hamari Apni hai , Dono ne kaha Ameer per iska ilzaam nahi Hai ,iska ilzaam hamare Apne per hai , Jab sab chale gaye ,Ye dobara dakhil hue ,Kaha - Ameerul Momineen hamare Saath Kya hua? Yu'n Farmaya Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne - Unko bulaya gaya Tha taqazo per Wo aa gaye , Tumhe bulaya gaya Tha taqazo per Tumne Dawat qubool nahi ki ,Ye Tumse aage bad gaye ,Tum pichhe reh Gaye ho , *
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Samajh Walo Se Allah ki taraf Se Sawal Zyada Sakht Hai,*
↬• Hazrat Suhel ibne Amr aur Hazrat Haaris ibne Hishaam Raziyallahu Anhum Dono ne is Baat ka Aitraaf Kiya k Ameerul Momineen ilzaam hum per hi hai ,Agar hum Maidane Mehnat mai Hote to Aaj inke ( Ansar aur Muhajireen ke ) Saath Hote ,
★• _ Dono ne kaha ab ye bataiye ,Kya Kare hum inke Saath kese ho sakte hai'n ? Inse aage to nikal nahi Sakte ,Kam az Kam inke barabar hi aa Jaye'n , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya- Ye to Bahut aage nikal gaye ,inke Saath tum yaha'n nahi ho sakte Lekin ye ho Sakta Hai k tum kisi Mulk mai chale jao aur Waha'n Dawat illallaah ki Mehnat mai lage raho yaha'n Tak k Wahi tum mar jao , to ho Sakta Hai Qayamat mai Tumhara Hashr inke Saath ho Jaye , yahi se chale jao abhi ,Rivayat mai Hai k dono Mulk Chhod Kar nikal gaye aur Allah ke Raaste mai Ek moqe per Shaheed hue ,
★• _ Is Kaam mai aage badne Ka har ek Ka Apna Maidaan hai ,Har ek Ka Maamla uska uska Allah ke Saath Bara e raast hai , Koi kisi ko na aage bada Sakta Hai na koi kisi ko pichhe hata Sakta Hai ,
★• _ Mehnat Ka Maidaan hai aur Saari Ummat matloob hai , *Hazrat Farmate they - Jin logo ko Allah Ta'ala ne is Kaam ki samajh aur is Kaam ki nisbat ata farma di hai ,Unse Allah ki taraf se Sawal Zyada Sakht hai ,K Tumne Jaan Kar bhi Nahi Kiya _,*
★• _ Jo is Kaam ko nahi Jaante hai'n unse Sawal Baad mai hoga , is kaam ko Jaante hue Kaam ke Taqazo ko Muqaddam nahi rakhne walo se Sawal pehle hoga ,
               
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Saari Ummat Ek Jism Ke A'aza Ki tarah Hai,*
↬• Masla Apni zaat Ka nahi Saari  Ummat Ka hai ,Saari Duniya ki bikhri Hui Ummat Ek Jism Ke A'aza ki tarah hai ,Payr Ka zakhm Payr Ka nahi hai Poore Badan Ka hai ,
★• _ Ek Mulk mai ek Namaz chhodne Wala agar Musalman hai'n to Hume neend nahi aani Chahiye is zakhm ki vajah se , Hadees Paak Ka Mafhoom ye hai - Saari ki Saari Ummat Ek Jism ke A'aza Ki tarah Hai ,Payr se zakhm se Aankh jaagegi ,Saara Badan bechen hoga ,Saare Badan mai Bukhaar aayega ,Ye Payr Ka zakhm nahi Poore Badan Ka zakhm hai ,
★• _ Isliye Ummat ki Zimmedari ba aitbaar Aalam ke hai , Apne Aapko Qurbaniyo'n Se qubool karwana hai,Jis Satah per aa gaye hai'n ,Jis Satah per Dawat ka Kaam karne wale pahunch gaye hai'n , ye koi Satah nahi Hai, Hamara Nishaan,  hamari Manzil Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Apne Sahaba ko Jaha'n Chhod Kar gaye hai'n Wo hamari Manzil hai , Waha'n tak pahunchna aur Ummat ko Waha'n Pahunchana ye hamari Zimmedari hai ,
★• _ Isliye ye Baat Poore Aslam ke aitbaar se arz Kar raha hu'n , Jaha'n Jao Waha'n walo ko bhi batao k is Kaam ke liye har Ummati se Tihaa'i ( 1/3 ) Mutalba hai , aur isko zyada mat Samajhna Kyunki ye Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki Qurbaniyo'n ki Sabse adna Satah hai , Darmiyani Satah Aadha maal Aadhi Jaan aur Adna Satah Tihaa'i Maal Tihaa'i Waqt , Hum Sabhi azm Kare k hume Waqt dena hai aur Ummat se Mutalba bhi Karna hai ,
★• _ Jis Cheez Ka Mutalba nahi karoge uski Himmat Apne andar kabhi paida nahi hogi , Ye mat Samajhna k Jab Khud nahi karte to Doosro ko kyu Dawat de , ye is zamane ki Sabse badi Galat fehmi hai ,Pehle khud Karo fir Dawat do esa nahi Hai Kyunki na karne Wala Dawat dene Ka zyada mohtaaj hai , Jo Jitna Faqeer hota Hai Uske Sawal mai Utni zyada mohtaajgi hoti Hai ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Is Ni'amat Ka Shukr Karo,*
↬• Is Kaam se Adna nisbat rakhne wale ko bhi chahiye k Wo har Aan har Lamha Un Mushkilaat ,Un Takaaleef ,Us Fakr aur Us Pyaas aur Us Garmi aur Us Sardi aur is Khof ko dekhe Jisse Ambiya Alaihissalam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum guzre hai'n ,
★• _ Har Kaam karne wale ki nazar is Kaam ke karne mai Sahaba ki Takaaleef per nahi Hai to is zamane mai Hidayat ke haasil karne ke liye un Takaaleef se guzarne per Ummat inkaar bhi Kar degi aur Jo guzrenge Wo Shikayat karenge ,
★• _ Halanki ye Allah Ta'ala Ka dastoor hai k Sabse Zyada Gam mai ibtila mai Ambiya ko rakha hai fir Jo Ambiya Alaihissalam ke Kaam ke Jitna qareeb honge Unke aitbaar se Allah Ta'ala Un per Halaat layenge ,
★• _ Is Per Allah Ta'ala Ka intehayi Shukr Ada Karna chahiye Humme se har fard ko Ey Allah ye Tera kitna bada  in'aam hai k tune is zamane mai is Ummat e Muhammadiya ke ek chhote se Majmu'e ko un Takaaleef ki taraf mutavajjah Kiya hai Jisse tune Ambiya, Sahaba ko guzaara hai ,
★• _ Kabhi Khayal aaya k is Ni'amat Ka Shukr Kare ? Log Aulaad ke Milne per , Karobaar ke chalne per ,muqadmaat ke Hal hone per ,Qarz ke Ada hone per Shukr karte hai'n,Kabhi Khayal aaya ho k is Raaste mai koi takleef Garmi ki ya Sardi ki ,Bhook ki ya Pyaas ki koi takleef aayi ho aur us per kisi ne Allah ka Shukr Ada Kiya ho ?
*"__Hamesha Yaad rakho ,Jo is Raaste ki Takaaleef per Shukr nahi Karega Allah ka ,Wo Bando se Shikayat Karega ,Agar is Raaste ki Takaaleef per Ahatsaab Kam ho gaya to Kaam ke taqaze mutassir honge , Agar Ajar ki Ummeed Kam bhi ho gayi to is Raaste ki Takaaleef se log inkaar Kar denge _,*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hidayat Ka Vaada Juhad Per hai,*
↬• Allah Rabbul izzat ne Hidayat Ka Vaada Juhad Per Kiya hai ,
★• _ Har Tareeqa e Mehnat Juhad nahi hai , Juhad Sahaba Kiraam ke Tareeqa e Mehnat ko kehte hai'n , Rivaaj aur Zamana Hume Sahaba Kiraam ke Tareeqa e Mehnat se ,Uski Seerat se ye Keh Kar door Karega k Us Zamane mai Deen Ke felne Ka Tareeqa Wo Tha ,is zamane mai ye hai ,
★• _ Nahi ,Khuda ki qasam ,Jis tarah Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke ek istinje ki line ki Sunnat,Aap Sallallahu Alaihivasallam ke vazu ki ek Miswaak ki line ki Sunnat Qayamat Tak badal nahi Sakti , Isi tarah Aapki Sunnte Dawat bhi Qayamat Tak badlegi nahi ,
★• _ Jis tarah Aapki Sunnte Adaat Saabit hai'n Usi Tarah jis Kaam ke liye Aapko bheja gaya hai us Kaam ke Tareeqa e kaar Ka bhi koi muqabil nahi Hai , 
★• _ Har Kaam karne wale ke zahan mai ye Baat rahe k Kaam Meri Chahat ,Meri Raay ,mere tajurbaat per nahi hai , Kaam Muhammad Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Tareeqa e Mehnat Ka naam hai , isliye har Kaam Karne wale ki Zimmedari hai k Apni koshish se us tareeqa e Juhad per khud Bhi jame aur Doosro ko bhi is per Amaada Kare ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Sahaba Kiraam Ka Tareeqa e Mehnat ,*
↬• Ye mat kaho k is zamane mai Ummat ye nahi Kar sakegi , Kuchh Taajir hai'n ,Kuchh Zamidaar hai'n , Kuchh Dafter wale hai'n, Inka bhi Sochna chahiye , inki riyayat ke aitbaar se kaam karna chahiye ,
★• _ Khuda ki qasam ,Dawat ki Mehnat mai Kabhi bhi kisi qaum ,Shobe ki riyayat ye Soch Kar nahi ki gayi k ye is Shobe se mutalliq hai'n  ,Ye Kaam nahi Kar sakenge ,Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum in Tamaam Shobo ko chalane wale they, Ohde , Tijarat , Zara'at,Sarmayadaari ,Bade bade Karobaar karte they,Export bhi hota Tha ,Import bhi hota Tha ,Esa nahi hai k  Jo Tijarat ke moqe is zamane mai logo ko mile hai'n us Zamane mai nahi they ,
★• _ Badi badi Tijaarate Sahaba ki hua karti thi , Bade bade Kaafile tijaarati samaano se lad Kar jate they ,Baahar Se lad Kar bhi aate they, Lekin Sahaba Kiraam ki poori Zindgi mai Kahi nahi milega k Taajiro ke liye Kaam Ka ye ( Alag ) tareeqa hai, School college ke padhne padhane walo Ka ye tareeqa hai ,
★• _ Nahi ,Balki So fisad Sahaba Duniya ke So fisad Shobe chalate hue Deen ki Mehnat ki ek satah per Sab mujtama they ,Isliye Tareeqa e Mehnat Wahi hai Jo tareeqa E Mehnat Sahaba Kiraam Ka Tha ,
★• _ Jab Tak Ummat us tareeqa e Mehnat per nahi aayegi Hidayat ke Faisle nahi honge , Imaam Maalik Reh. Ka qaul hai - is Ummat ke Baad wale sudhar nahi Sakte jab Tak Ummat Wo na Kare Jo Ummat ke pehlo ( Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ) ne Kiya hai _,"
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Dawat Ke Zariye Yaqeen Ko badalna ,*
↬• Sabse pehle Dawat ki Mehnat ke zariye Apne Yaqeen ko badalna hai ,
★• _ Is Yaqeen ki Tabdeeli Ka amr aur is imaan ki taraqqi Ka Hukm khud Momin ke liye hai , Farmaya- "_imaan Walo imaan lao ," Ye Allah ka Hukm hai , Namaz padhna Allah ka Hukm hai, log Jaante hai'n Namaz kese padhi jati hai, is Amr ko kese poora Kiya Jata hai, Jis tarah Namaz padhna Allah ka Amr hai ,Jis tarah Namaz Ka amr ek martaba kar ke khatm nahi ho jata ,balki Namaz ke Baad agli namaz hai ,
★• _ Bilkul isi tarah Allah per imaan Lana bhi Allah ka esa amr hai k Maut Tak aur Qayamat qaa'im hone Tak Momin ko Allah per imaan lane se faragat nahi hai ,
★• _ Sawal is Baat Ka hai k Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum is Amr ko poora kese karte they, Jab Aapne Farmaya Sahaba Kiraam se Apne imaan ko taza karte raha Karo , Shaba ne arz Kiya- kese Kare ? Farmaya - Laa ilaaha illallaah ko Kasrat se kaha Karo ,
★• _ Is Kasrat Ka Kya Matlab hai ? Is Kasrat Ka Matlab Sirf infiradi zikr nahi Hai,balki infiradi zikr ke Saath Saath is Kasrat Ka Matlab Jitni Saari Kaaynaat maaddi Shaklo se ,maaddi cheezo se Duniya ke naqsho se bhari Hui hai , in Tamaam cheezo Ka Kasrat ke Saath inkaar Karo aur Ba Kasrat Allah ki toheed Uski badaa'i ko Bayan Karo ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Masjido Mai imaan Ke Halke Qaa'im Karne Honge,*
↬• Namaz Ka Amr Allah ka Amr hai Jisko Masjid mai aa kar Ada Kiya Jata hai ,
★• _ Bilkul isi tarah Allah Ta'ala per imaan Lana Allah ka Amr hai, is imaa. Ko seekhne ke liye isme taazgi baqi rakhne ke liye, Musalmano ko Rozana Masjido mai imaan ke halke qaa'im karne honge ,
★• _ Aur Masjid ke Baahar faili Hui Tamaam maaddi Shaklo se Musalman ko ye samjha Kar k in Shaklo se palne Ka Talluq nahi hai,Allah Ta'ala se palne Ka Talluq hai ,
★• _ Is Yaqeen per imaan wale ko Masjid ke Baahar ke mahol se nikaal Kar masjid mai imaan ke halko mai Allah ki zaat se hone ,Allah ke gair se na hone Ka Yaqeen sikhlane ke liye inhe masjid ke mahol mai gashto ke zariye Lana Aap Sallallahu Alaihivasallam ke hukm ko poora karne Ka Tareeqa hai Jo Aapne farmaya hai k Apne imaan ki tasdeeq karte raha Karo ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Masjido mai Imaan Ke Halke Qaa'im Karo,*
↬• Ye koi fard ki Raay nahi Hai, Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Ka Amal khud batla raha hai ,
★• _Sahaba Sahaba ke paas Jate they, Ek ek Ka haath pakadte they ,Khushamad karte they , Bazaaro se , Galiyo'n se ... Thodi Dayr ke liye hamare Saath aa jao , Thodi Dayr hamare Saath betho ,Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate they Thodi Dayr ke liye Chalo hamare Saath Masjid mai Apne Rab per imaan laye ,
★• _ Ye Amal Sahaba Ka batla raha hai k imaan ki tasdeeq ke liye Masjido mai Imaan Ke Halke Qaa'im Karna ye Sahaba Kiraam Ka mamool tha ,Ye mamool Ummat mai se khatm ho gaya ,Ab mulaqaat baraye mulaqaat ho kar reh gayi hai ,
★• _ Aap agar gor karenge Sahaba Kiraam ke mamool per to Khushamad milegi Aapko Rivayato mai , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate they - Ye Kaam mai khud isliye karta hu'n Taki mere imaan mai zyadti ho ,
★• _ Tasdeeq e imaan Kasrate Laa ilaaha illallaah se Asal Matlab ye Tha  ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Dil mai Utaarne Ka Naam Tablig hai,*
↬• Hume Apni Masajid ko Amal aur Mehnat ke aitbaar se Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke mamool per Lana hai ,
★• _ Kyunki Baat Ka Pahunchana Tablig nahi Hai, Chalte firte Kaan mai baat daal dena Tablig nahi Hai, Farmate they Hazrat Maulana Ilyaas Sahab Reh.Dilo mai utaarna Tablig hai , Tum Dilo mai Utaarne ke Asbaab akhtyar Karo , Hidayat Allah ke haath mai hai ,
★• _ Iska Matlab ye hai k Dilo'n mai Utaarne ke liye makhsoos jagah hai , Aap Jaante hai'n Joota fat Jaye to Mochi ke paas jana padega , Aap Jaante hai'n Bimaari aa Jaye to Hospital Jana padega , Mukhtalif Department ke ek kaagaj per sign karane ke liye ,mamooli se kaam ke liye Safar Kar ke Fala department mai Jana padega ,
★• _ Duniya ke mamooli Kaam Apne thikaano ke bager nahi Hote to Allah ka Talluq Allah ke Ghar ke bager kese haasil ho jayega ,
★• _ Hume Sahaba Kiraam ki Mehnat mai Sabse buniyadi Cheez ye milti hai k Sahaba Sahaba ki Khushamad karte they, imaam Bukhari Reh. ne to Saabit kiya hai Ma'az bin Jabal Raziyallahu Anhu Ke Amal se k Ma'az bin Jabal Raziyallahu Anhu ye farmaya karte they Sahaba see Aao Thodi Dayr hamare Saath betho Masjid mai Apne Rab per imaan laye , Ye Sunnat tareeqa hai Ummat ki tarbiyat Ka ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Asal Tarbiyat Ki Jagah Masjid Hai,*
↬• Ummat ki tarbiyat aur Ummat ko Allah se Jodne ke liye Ummat Ka Waqt Masjid mai guzre ,
★• _ Sirf Namaz ke liye nahi balki Masjid Deen ki Tamaam zaruriyaat ko aur Deen Ke Tamaam taqazo ko poora karne ki jagah hai ,
★• _ Allah ke vaade yaha'n Suno , Masa'il Yaha'n Seekho , Ulma ko chahiye k Ek Masjid ke imaam se le Kar Saal lagaye hue Ulma Tak ,Ye Masjid ko Waqt de aur Masjid mai aane wale har Shakhs ki Vazu se le Kar Namaz Tak aur Uske Aqaa'id aur imaan ki Taleem ki fikr Kare ,
★• _ Yahi Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ka mamool tha k Aap Masjid mai aane wale ka Vazu bhi dekhte they ,Namaz bhi dekhte they ,Namaz khud sikhlate they ,Namaz ki nigraani khud karte they,
★• _ Masjide Esi nahi thi k Ek Shakhs imaniyaat se , Fara'iz se ,Deen Ke Ahkaam se nawaakif ho aur Masjid mai aa kar Namaz padh Kar Chala Jaye ,Esa nahi Tha , Kisi ko Masla seekhna hai ,Kisi ko Kalma nahi aata ,Kisi ko Namaz seekhna hai ,Masjid Deen Ke Tamaam taqazo aur Deen Ke Tamaam Ahkaam ke seekhne ki jagah thi ,Asal Tarbiyat ki jagah hi Masjid thi ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hazrat Tufel bin Amr Tosi Raziyallahu Anhu Ka Waqi'a,*
↬• Masjid se Be Talluq hona ,Ye Allah se Be Talluq hone ki Asal vajah hai Kyunki Hadees mai aata Hai Jo Masjid se ulfat rakhta Hai Allah usse Ulfat rakhte hai'n ,
★• _ Hamare Gashto Ka Asal Maqsad ye hai k Kisi tarah Musalman Ko Masjid ki taraf le aana hai , Masjid mai rehna Allah ka Mehmaan ban kar Ye Aadmi ke Dil ko Mutassir karta Hai ,
★• _Hazrat Tufel bin Amr Tosi Raziyallahu Anhu jab Makka Mukarrama aaye ,Quresh ne  kaha Tufel na Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki Baat sunna na inse Baat Karna , farmate hai'n Maine Kaano ko Rooi se band Kar liya ,Aapki Baat sunna nahi chahta tha ,Lekin Allah Sunwa Kar rahe ,
★• _ Maine Masjid mai Qadam rakha Dil ki kaifiyat badli ,Dil ne kaha - Tufel padha likha Aadmi hai ,inki Baat sunna chahiye,  Maine Kaan se Rooi nikaali ,Aapki Baat suni ,Islam qubool Kiya aur Apni Qaum ko Dawat de Kar 80 gharano ke islam mai dakhil hone Ka zariya bane ,
★• _ Ek Fard ko Jisne Masjid mai aa kar Baat suni Allah ne unko 80 khandaano ke Islam mai aane Ka zariya banaya , Tarbiyat maqsood hai ,Nashro isha'at nahi , Tarbiyat mahol mai hoti Hai , *
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Rivaaji Cheezo Se Tarbiyat nahi Hogi,*
↬• Ye Dawat Ka Kaam koi tanzeem nahi Hai,Ye Dawat hai aur Dawat tareeqa e Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ,Juhade Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Ka Naam Dawat hai , Aapke Tareeqa e Mehnat Ka naam Dawat hai ,
★• _ Agar Dawat ko Muhammad Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Tareeqa e Mehnat se Tareeqo se margoob nahi karoge to Duniya ki Rivaaji Cheeze aur Alaat ( internet , Computer aur Mobile ) aur zaraay- ye tablige Deen Ke Liye Asal ban Kar reh jayenge aur Musalman ki Apni Mehnat Jo Asal Johar hai Juhad Ka Wo is Kaam ko Chhod bethenge ,
★• _ Yahi vajah hai k is zamane mai Naqal harkat see zyada Nashro isha'at ,Rasaa'il ,Alaat internet Computer aur Mobile ki taraf log maa'il hai'n , Halanki us Zamane mai Nashro isha'at ke zaraay- Hote hue bhi , Daak Ka nizaam tha, ek Manzil se Doosri Manzil Daak Jaya karti thi, Fir bhi Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Sivaye Chand Badshaho ke kisi ko khat likh Kar Dawat nahi di ,Aapne Jama'ate bheji hai'n , Unhone Mehnat ki hai ,
★• _ Allah Rabbul izzat Daa'i ke Johad ,chalat firat , koshish aur Daa'i ke Sabr ko qaumo ki Hidayat Ka zariya banate hai'n , Ye Allah Ta'ala Ka dastoor hai ,*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Dil Mutassir Kyu nahi Hote ?,*
↬• Ye Nashro isha'at ke zaraay-ye Nabuwat aur Sahaba Kiraam ki Naqal harkat aur Unke Juhad Ka mutawatir hona to Bahut door ki Baat hai, ye is Kaam mai Mu'awin bhi nahi Hai ,
★• _ Musalman is Raah mai Firne Ka agar Maaddi cheezo ko badal samajh lega to insaan waahid Mujahida karne wali Makhlooq hai Uska Mujahida khatm ho jayega ,
★• _ Yahi vajah hai k Musalman Ka Juhad Duniya ke liye aur Deen ki Nashro isha'at mai Akhbaaro Risaalo aur isse bad Kar Net, Mobile mai islam Daal Diya gaya Hai failane ke liye aur Ye Taajir ban Kar Maal ikattha karne mai laga hua hai ,Aapne farmaya mujhe is Baat ki Wahih nahi ki gayi k Mai'n Taajir ban Kar Maal ikattha karu ,
★• _ Quloob mutassir isiliye nahi Hote k Sirf Paigaam Pahunchane ko Tablig samjha hua hai , Is Dawato Tablig Ka madaar aur is Mehnat ki buniyad Khuda ki qasam Sirf Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki Seerat aur Sahaba Kiraam ki mushabhat hai ,isse niche Kaam nahi hai, Kisi bhi Zamane ke tareeqa e Kaar se ,Alaat aur Sahulato se Tablig ki gayi to Mujahide ki Sifat khatm ho jayegi ,To Hidayat ke Faisle bhi nahi honge,
★• _ Haa'n Duniya hai Duniya , Duniya ke liye Duniya ki cheeze munasib hai'n Lekin Deen Ke Liye to Dawat Yani Aapka aur Aapke Sahaba Ka Tareeqa e Mehnat hi Muta'iyan hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*ILM Ulma Ki Sohbat mai Haasil Karo,*
↬• Jab ek Shaakh  ilm ke liye ya Doosre tak ilm pahunchane ke liye Jata hai ,Uska Mujahida iske ilm ko doosre ke liye Mo'assir banata hai ,
★• _ Tarbiyat maqsood hai , Tarbiyat mahol se hoti Hai , ilm ke Saath Tarbiyat chahte ho Allah ne Madaris banaye ,ilm Ulma ki Sohbat se haasil Karo , Ye Nahi k ilm Kitaabo mai ,aur ilm Nashro isha'at ki cheezo mai aa gaya hai to Ab Ulma ki Sohbat ki zarurat nahi hai ,
★• _ Ulma Ki Sohbat ke bager Malumaat to haasil ho sakti Hai ,Deen aur Tarbiyat haasil nahi ho sakti, Isi tarah Deeni Madaris aur Waha'n ki Pabandiya'n , Waha'n Ka makhsoos mahol , Waha'n Ka makhsoos mamool , Waha'n ke Muta'iyan mamulaat ilm ke Saath Tarbiyat ke liye Laazim hai'n ,
★• _ Bilkul isi tarah Hidayat ke liye Allah ka Talluq paida Karne ke liye,Allah ke Bando ko Allah se Jodne ke liye Masjid Ka mahol Muta'iyan hai ,
★• _ Pehle ilm ke Halke Masjido mai hua karte they, Zaruriyaat e Zamana ki vajah se ilm Masjid se nikal gaya , Suffa Madarsa nahi Tha ,Suffa Qayaam Gaah tha , Masjid Darsgaah thi , Suffa Masjid ke Bahar Ka hissa hai yaha'n Qayaam hota Tha Fuqra e Sahaba Ka ,Masjid mai Taleem hoti thi , Masa'il Yaha'n sikhaye Jate they, Faza'il yaha'n sunaye Jate they ,
*"__ Isliye Ye Baat Amaanat hai ,Khud Apni zaat se Amal mai lane ki koshish Kare aur Doosro Tak pahunchaye ,K Masjid ke mahol mai laa Kar Baat ki Jaye ,*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hidayat Ka Vaada A'amaale Masjid mai,*
↬• Masjid mai laa Kar Baat ki Jaye , Mai'n nahi Kehta k Majboor Kiya Jaye ,Kisi ko kheencha Jaye ,Ye Hamara Kaam nahi hai ,
★• _ Albatta Khushamad Karo , Sahaba Kiraam ki Khushamad dekho k Umar Raziyallahu Anhu Jese Sahabi ek ek Ka haath pakad Kar Khushamad karte Thodi Dayr ke liye Masjid mai aa jao , Kyunki Ye Baat Yaqeeni Baat hai -Jo Masjid ke Mahol mai aa kar Baat sunega to wo Farishto ke paro mai Baat sunega ,
*★• _ Hazrat Ji Reh. Farmate they- Yaha'n Farishto ke Paro se Hidayat Ka Noor is tarah aayega Jis tarah Murgi ke Paro se Ando mai Hayaat aati hai _,"*
★• _ Agar Murgi ke Paro se Ando mai Hayaat aa sakti Hai ,Jaan daalna Allah ka Kaam hai ,Sabab Murgi ke Par hai'n , Khuda ki qasam ye to ho Sakta Hai k Ande gande ho Jaye ,Ek ande ke andar Bachcha paida na ho , Lekin esa nahi ho Sakta k Masjid mai Farishto ke Paro mai rahe aur Hidayat ke Faisle na ho ,
★• _ Allah Ta'ala ne Hidayat Ka Vaada A'amaale Masjid se khud kiya hai ,farmaya- "_ Ye wo honge Masjid ko Abaad karne wale Hum inke Dilo'n se gair Ka Khof nikaal denge aur ye honge Hidayat yaafta _,"
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Masjid Amal Se Kyaali Na Ho,*
↬• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ka ye mamool tha k Aap naye aane walo ko Masjid mai rakhte they, Chor se chori Hui Masjid ke sutoon se baandh diya Taki iske Dil mai Chori se nafrat paida ho Jaye ,
★• _ Kuchh logo ne kaha Islam le aayenge Magar Namaz nahi padhenge , Jesa Aaj Kal Ka hamara Islam hai ,Musalman Ho Kar rahenge Namaz nahi padhenge, Zakaat nahi denge .,Deen ki Mehnat nahi karenge...,Ye Islam Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Zamane mai qubool nahi Kiya Jata tha,  Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- inko Masjid mai rakho , A'amaale Masjid inke Dilo'n ko islam ke liye naram kar denge , Ye Hikmat thi ,
★• _ Hamare Gasht is tarah ho k Gasht ke Dauraan Masjid Amal se Khaali na ho , Masjid Saathiyo'n se Khaali na chhodo , Ye Khilafe Sunnat hai k Sabke Sab nikal Jaye mulaqaato mai aur Masjid Amal se Khaali ho ,Sahaba Kiraam ke Zamane mai Masjid mai Chand Saathi hua karte they, Aane walo Ka Istaqbaal Karna Seerat se Saabit hai , Aane walo ko samjhana Seerat se Saabit hai, Aane walo ko Taleem Dena Seerat se Saabit hai,
★• _ Masjid mai Taleem ho rahi hai aur Bahar Koshish ho rahi hai , Ye Sahaba ke Waqi'aat Hume Kaam Ka tareeqa samjha rahe hai'n , Masjid mai Taleem ho rahi hai aur Imaame Muhaddis Abu Huraira Raziyallahu Anhu bazaar se logo ko Taleem Mai bhej rahe hai'n , Waapis aane walo ko dobara bhej rahe hai'n , Ye nahi k Keh diya Jisko Jana ho Chala jayega , Dawat di , Mutavajjah Kiya , Chhod kar nahi gaye ,intezar Kiya , Sahaba waapas aaye ,Waapas bheja Jao Waha'n Taleem Ka Halka laga hua hai , Waha'n Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki miraas Taqseem ho rahi Hai, 
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hamare Gashto Ka Maqsad ,*
↬• Abhi Tak hamara Kaam in Gashto ke zariye Maqsad Tak pahunchne Wala hua hi nahi hai ,
★• _ Ek Musalman ko Allah se milana, Usko Fara'iz se milana , Usko Masjid ke mahol mai rakh Kar Usko andar se badalne ki fikr Karna , koshish karna ,Abhi Tak hamara gasht is maqsad Tak nahi aaya , Abhi Tak zahan mai mulaqaate baraye mulaqaat hai'n ,
★• _ Ek Sahab Kehne lage ,Meri Dukaan per 20 Saal se Gasht hota hai , Log aate hai'n ,Baat sunte hai'n, Mulaqaat Kar ke ,Baat sun Kar log Ghar chale Jate Hai'n , 20 Saal ke Baad ek Esi Jama'at aayi Jisne kaha - Hum Aapse Baat Karna chahte hai'n Lekin Aapse Darkhwast hai k Hamari Baat Masjid mai chal Kar suno ,
Masjid mai Kyu ? Yahi'n kar lo , Jama'at ne kaha - Agar hum Aapko Apne Ghar bulate to Kya Aap ye kehte k Khaana yahi'n bhej do  Aap Khush Hote aur Hamari Dawat qubool karte ,Aap aane se inkaar nahi karte ," Humne Kaha - Ji Sahi Baat hai , Jama'at ne kaha - Jab Aap mere Ghar aane se inkaar karne mai Sharma rahe hai'n to Allah ke Ghar mai aane se kya inkaar hai ?
Ye Esi Baat Kahi Jama'at ne k Mera Sar Sharm se gad gaya Mai'n Sar nahi utha saka , Le Kar aaye Masjid mai , Mujhe Wazu karaya ,Le Kar bethe ,Kehne laga Khuda ki qasam is Waqt Meri 60-65 saal ki Umar hai ,Ye Meri Zindgi ki pehla moqa hai k Maine Aapki Barkat Aaj Allah ke Ghar mai Qadam rakha hai , 20 Saal se Gasht hota Hai , 20 Saal se Gasht karne walo ki Baate sunta hu'n,, Lekin mujhse kisi ne nahi kaha k Masjid mai Chalo ,Meri Zindgi Ka pehla Din hai ye k Mai'ne Allah ko Sajda Kiya hai ,Agar is Haal mai Mar Jata to Kya hota ?
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
             ❈…… .. _*Sunnate Dawat,*
↬• Sunnat Kya Hai ? Ye Sunnate Sirf Adaat ibadaat hi mai nahi hai'n ,Sunnate Dawat bhi hai ,
★• _ Jitne Ummat per Halaat hai'n ,Fitne hai'n ,Qarzo ke ,Qahat Sadiyo'n ke , Muqadmaat ke ,Bimariyo'n Ke ye Sab Allah ke Gusse ke mazahir hai'n ,Allah ke Gusse ke Asbaab hai'n ,Aur Masjid ko Abaad karne walo se Jo Azaab Jo muqaddar ho chuka hai Allah usko hata dete hai'n ,
*★• _ Hazrat Farmate they - Ese gasht Kiya Karo Jese Sailaab se logo ko bacha bacha Kar Nikaal nikaal kar khushki mai laya Jata hai , Zalzala Kahi aa Jaye to Malbe se dabe hue logo ko bacha Kar Kheench Kar nikala Jata hai ,Is Fikr se Gasht Kiya Karo Goya Bahar Ka Saara Mahol Wo nuqsaan mai Ummat ki halakat Ka mahol hai , Jaha'n se Musalman ko kisi tarah bacha Kar Allah ke Ghar mai dakhil Karna hai _,"*
★• _ Isliye hamare Kaam Ka Asal Maqsad ye hai , Tareeqa ye hai , Kyunki Baat pahunchana Kaam nahi hai , Tarbiyat Kaam hai , Aur Tarbiyat ki jagah Masjid hai ,
★• _ Sahaba Kiraam ke Waqi'aat ko khoob gor se dekho ,Khoob gor se padho ,Agar koi Yu'n Keh raha hai k Fala yu Keh Raha hai to Yu bhi kahogi k Fala ye bhi keh raha hai ,Fala ye bhi Keh Raha hai, Seerat dekhoge to Kaam per Basirat badegi ,Kaam karne walo ko chahiye k Jo Arz Kiya ja raha hai use khud Sahaba ki Seerat mai dekhe ,k Sahaba Kiraam Ka Tareeqa e Mehnat Kya Tha ?
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Tablig Sirf Targeeb nahi,*
↬•Gasht imaan ke Halko per Jama karne ke liye hua karta tha , Imaan Ke baad Doosra Fariza Namaz hai ,Namaz ki Adaygi per Ummat Ko Lana ,
★• _ Masjid mai aane walo ko le Kar betho , Khushamad Karo ,Namaz Ke Vaade bataao ,Thodi Wa'iede batla do , Namaz nahi padhni aati hai to sikhla do ,Ye Sunnat hai , Aap Sallallahu Alaihivasallam Namaz khud sikhlate they, Aap mashgool Hote to Sahaba Namaz sikhlate they ,
★• _ Umar Raziyallahu Anhu Mimbar se Attahiyaat is tarah sikhlate they Jese Bachcho ko Huroof ki Talqeen ki jati hai , Is tarah Hume Namaz ki Adaygi per Ummat ko Lana hai ,Hamara Kaam Sirf Targeeb Dena nahi hai ,Targeeb Amal ki taraf aane ke liye hai ,Amal ki taraf lane ki koshish Dawat hai ,Targeeb Dawat Ka ek Juzv hai ,Tablig Sirf Targeeb nahi hai ,
★• _ Humne Sirf Targeeb per Kaam ko Chhod Kar Taleem aur Ada e Fara'iz se Hum gaafil ho gaye , Mujhe Sachchi Sachchi bataao k Aap kitno ko Apne Gasht ke zariye Amaada karte ho k Aapke ilaaqe mai Madarsa hai ilm Seekho , Aapke ilaaqe mai Ulma hai'n ,Kya Aap Unki Majlis mai Jate hai'n ,Humne itne Gasht kiye ,Kitne Bachche madarse mai aa Gaye ,? Kitne Budhe Masjid mai Qur'an seekh rahe ?Hamari Mehnat se Kitne log Ulma ke Halko se wabasta hue ,?
★• _ Tablig ko Targeeb per esa mehdood Kar diya hai k Amal ki taraf koi tavajjoh nahi hai ,Targeeb ko Kaam samajh liya hai,  Agar ye Mizaaj ban gaya to ye Kaam guzargaah ban kar  reh jayega ,Log Targeeb Sunte Sunte ukta jayenge ,Kisi Amal ki taraf nahi aayenge ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Namaz ko Yaqeen Per Lana,*
↬• Madaris Ki tadaad Ko dekh Kar kehte hai'n k ilm Bahut Fayl Raha hai , Jaahilo ki tadaad aur Kasrato ke is Samundar ko dekh Kar Socho k nahi Abhi kuchh bhi nahi hai ,
★• _ Hairat ki Baat hai Duniya ke maamle mai baqi ko dekhte hai'n Aamdani ko nahi dekhte aur Deen Ke maamle mai Aamdani ko dekhte hai'n baqi ko nahi dekhte ,Kesa Ulta nizaam hai ,Aur yahi vajah hai Ilm ke mahol mai Hai'n to samajhte hai'n ilm Bahut Fayl raha hai ,Nahi Jahal ke mahol mai jao to pata chalega k Ummat Masjid ke Saaye mai rehte hue Kalma E Laa ilaaha illallaah se nawaakif hai ,Masjid ki Zameen per Dukaan hai ,Namaz nahi Padhta hai ,
★• _ Socho to Sahi Apne Ghar mai Khaane per bulayega to Das chakkar lagayega ,Payr pakad lega , Khushamad Karega ,Aapke bager to Mai'n Dawat karunga hi nahi , Lekin Tablig mai aata hai to Bas Targeeb de do Amal karna na Karna uska Kaam hai , nahi balki Hume koshish Kar ke Ummat ko Allah ke Fara'iz per Lana hai ,Hume samjha Kar Masjid ke mahol mai Lana hai, Log samajhte hai'n isse log ukta jayenge ,Nahi Jo Allah ke Bando ko Allah se Jodne ki koshish karta Hai Allah uski koshish ko Zaaya nahi farmate ,
*★• _ Sabse Pehli Baat ye hai k Namaz ko Yaqeen per laao , Namaz ki Dawar Saare maaddi Asbaab ke muqable mai do  ,Hazrat farmate they -Namaz aur Dukaan Ek Saath yaqeen mai jama nahi ho sakte ,Ye kehna k Namaz bhi hai Dukaan bhi hai , Yahi kehna Dilo'n se Namaz ke Yaqeen ko nikaale hue hai , Yu'n Kaho Namaz hi hai ,Dukaan nahi hai ,Dukaan gair Yaqeeni hai ,Namaz Yaqeeni hai ,*
★• _ Namaz padh Kar ye mat Samajhna k Mai'n Namaz per Yaqeen Wala ho gaya hu'n ,Dukaan band Kar ke Namaz per Jaye to ye mat Samajhna k Mai'n Namaz per Yaqeen rakhne Wala ho gaya hu'n ,Allah Rabbul izzat is Namaz ke Yaqeen Ka imtihaan lene ke liye ese Halaat layenge k ye Namaz ke liye Masjid ja raha hoga ,Abhi masjid ke qareeb darwaze per pahunchega Pichhe se koi aayega k Aapke Ghar per is Mulk ke Wazeere Aazam bager ittela ke aa Gaye hai'n ,Aapko bula rahe hai'n , Khuda ki qasam agar ye Soch le yaha'n k Jama'at ki Namaz Farz nahi Sunnat hai Baad mai tanha padh lenge , Khuda ki qasam isne Allah ki Badshahat Ka inkaar Kar diya ,Allah ke hukm muqable mai ek wazeer ki wizarat ko Tasleem Kar liya ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Azaan Elaan nahi Hai, Azaan Dawat Hai,*
↬• Baat ye nahi hai K Namaz Baad mai bhi ho sakti hai , Agar imaan hai Dil mai aur Yaqeen hai Allah ki zaat per to Keh dega Kalma padh Kar aa Jaiye masjid mai mulaqaat ke liye ,Agar nahi to intezar Kare Hum Namaz padh Kar aayenge ,
★• _ Khuda ki qasam Agar Ummat Ka ek Majmu'a is per aa Jaye To Mai'n Allah ki So martaba qasam kha Kar Keh Sakta hu'n k Saari Hukumate Tumhare payro per aa Kar padengi , Tum Apna Sar rakhe hue ho Gairo ke saamne ?
★• _ "Maulana Ilyaas Sahab Ka malfooz hai - Jitne Deen per chalne Ka Musalman ko akhtyar haasil hai ,Agar isme isne Hukm poora nahi kiya ,Jisme Akhtyar haasil nahi Allah apni madad nahi karenge ," Tum khud Amal mai Pichhe ho , isliye Namaz ko Yaqeen per laao , Namaz ko Yaqeen per Lana koi taqreer karne ki Cheez nahi hai ,Namaz ko Yaqeen per lane Ka Matlab ye hai k Tu Jaha'n jis Haal mai bhi hai Us Haal mai Hukm ko poora Kare ,
★• _ Ek jagah Meeting chal rahi thi ,Kuchh Agyaar bhi they meeting mai ,Azaan ki Awaaz aayi ,Meeting Chhod kar khade ho gaye , Kaha'n ja rahe ho ? Kaha'n ja rahe ho ? Us Allah ne bulaya hai Jo Tera bhi Badshaah hai ,Mera bhi Badshaah hai ,aur Tamaam Kaaynaat Ka Badshaah hai ,usne Bulaya hai ,
★• _ Azaan Dawat hai ,Elaan nahi hai ,Azaan Allah ki taraf se bulawa hai ,Dawat Ka ye Matlab nahi hai k Wo pukaar raha hai ,Dawat Pukaar nahi hai , Azaan Dawat e Ta'amma hai ,Azaan Allah ka Amr hai ,Uska hukm hai Aao , Isliye Azaan Ka jawab Alfaz Ka dohra Dena nahi hai ,Azaan Ka jawab Saare Kaam Chhod Kar Masjid mai aana hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Asbaab Gair Yaqeeni hai'n,*
↬• Agar Ek Majmu'a esa ho gaya k Azaan ki Awaaz Sun kar Khade ho Jaye Apne Kaam ko Chhod Kar , Tamaam Makhlooq ke bade chhote sabko Chhod Kar ,Tamaam Makhlooq se Kat kar Masjid ke liye uth khada hua to ,Allah Rabbul izzat Saari Hukumato ko ,Saari Shaklo ko iske saamne jhuka Kar dikhlayenge ,
★• _ Agar Ek Tanha Sahabi ,Pasta Qad ,Fate Hue Kapde , Tattoo per Beth Kar agar Rustam se Asnkh mai Aankh daal Kar Baat Kar sakte hai'n , Aaj Duniya mai Esi koi Hukumat nahi milegi jesi Rustam ki Hukumat thi,
"_ Yaad rakhna Jo Allah Ta'ala ke Fara'iz ke Ada karne mai ,Jo Allah ke Ahkaam ke muqable mai zarra barabar bhi Allah ke Gair ki parvaah karenge  Allah ese Musalmano ko magloob Kar ke Gairo ke maathat kar ke rakhenge , Hadees mai Hai - Jo hamare gair se Ummeed karta Hai hum use gair ke hawale Kar dete hai'n,
★• _ isliye Namaz ko Yaqeen per laao,  Namaz ko Saare Kaaynaat ke naqsho ke muqable mai pesh  karo k  Saari Kaaynaat ke muqable mai Namaz Yaqeeni hai , Kaaynaat ke Saare naqshe gair Yaqeeni hai'n ,
★• _ Doosri Mashq Namaz per Allah ke vaado ki hai , Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Sahaba ko ,Apne Ghar walo ko ,Apne mutalliqeen  ko Namaz ke Yaqeen per uthaya , Ek Sahabi ne Sawal Kiya k Mai'n Tijarat ke liye Behren Jana chahta hu'n , farmaya Pehle Do Raka'at Namaz padh lo ,
★• _ Tijarat se nahi roka Lekin Keh diya k Tijarat se Kamyaabi na hogi Kamyaabi Namaz se hogi ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*,Farz Namaz Tak Apni Haajat Ko Mu'akhkhar Karo*
↬• Yaad rakho Jo A'amaal ko Muqaddam karte hai'n Asbaab per A'amaal ke Yaqeen ke Saath Allah unko Asbaab Tak pahunchne se pehle hi unki Haajato mai Kaamyaab Kar dete hai'n ,
★• _ Jo Yu'n kehte hai'n ,Namaz bhi Sabab bhi ,Unko Asbaab se Kamyaabi nazar nahi aayegi bavjood Amal ke, Sabab mai Kamyaabi nazar nahi aayegi Jab Tak Sabab ko Namaz ke barabar Ka darja diye hue hai'n ,
★• _ Isliye Asbaab ko Tark karne ko nahi kehte ,Asbaab ko Mu'akhkhar karne ko kehte hai'n, Asbaab ko pichhe Karo ,Pichhe Karo ,Pichhe Karo , A'amaal ko Aage Karo ,Aage Karo ,Aage Karo,
★• _ Yaha'n Tak farmate hai'n Abdullah ibne Masoud Raziyallahu Anhu k Jab Tumhe koi Haajat pesh aaye to Agli farz Namaz Ka intezar kiya Karo , Ye nahi k Haajat ko Sabab se poora Kar liya Jaye , balki farmaya k Apni Haajato ko Farz namazo ke liye utha Kar rakho ,Ye mustaqil mashk ki Cheez hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Apni Namazo Ko Allah Ke Vaado Per Lana,*
↬• Doosri Baat ye hai k Namaz Allah ke vaado ke Yaqeen per aaye ,
★• _ Vaado Ka Yaqeen Karna hai ,Vaado ki Niyat nahi karni hai , Ey Allah Namaz padh raha hu'n Ye Kaam kar de , ye Namaz Haajat ke liye Hui Allah ke liye nahi hai , Namaz Haajat ke liye nahi hai ,Namaz Allah ka qurb haasil karne ke liye hai, aur Qareeb wale ki Baat Suni jati hai ,
★• _ Haajat ki Namaz Ka Matlab ye hai k Namaz Allah ke qurb ke liye padh raha hu'n , Qareeb ho Kar Allah se Baat ki ja sakti Hai, Mai'n Door hu'n Allah se ,Namaz Allah ke qurb Ka zariya hai ,Namaz se Allah ka qurb haasil Karo fir Allah se Kaho , Salatul Haajat Ka Matlab ye hai ,
★• _ Apni Namaz ko Allah ke vaado per Lana ,Iske liye Faza'il ki taleem hai , Hamare Yaha'n taleem Ka maqsad Sirf Thodi Dayr Beth Jana nahi hai ,Sirf Shok paida kar Lena nahi hai balki Asbaab ki Duniya mai ja kar Jo Sabab se Hota Nazar aaya hai Waha'n se uth Kar aao ,Taleem ke halko mai betho aur ye kaho Dil se k Khuda ki qasam Asbaab se nahi palte hai'n Khuda ke Vaado per Palte hai'n ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Taleem Ki Sharte'n,*
↬• Jab Tak Taleem Mai bethne Wala aur khud Taleem karane Wala dono is Yaqeen ko ,is Tasavvur ko Dil mai liye hue nahi bethenge k Hum Asbaab se nahi palte ,Hum Allah ke vaado per Palte hai'n , inko Allah ke Vaade samajh mai nahi aayenge ,
★• _ Tabiyate Taleem se ukta chuki Hai ,Rozana Ek Kitaab Rozana El Kitaab ,Padh li ,Hifz ho gayi ,Yaad ho gayi ,Amal ke liye Karna chahte they ab Amal karne lage hum ,
*"__ Hazrat Farmate they - Us Amal Ka Kya Aitbaar hai Jo Amal tu Khwahish ke liye Chhod de , Us Amal Ka Kya Aitbaar hai Jo Haajat tujhse Wo Amal chhudwa de ,Mo'atbar Wo A'amaal hai'n Jo A'amaal ke Yaqeen ke Saath kiye Jaye _,"*
★• _ Isliye Taleem Ka Tareeqa ye hai,Taleem ke Saath ye Shart hai k Taleem karane Wala, Taleem Sunne wale is Taleem ke Halke ko Muhammad Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke Sahaba Ka wo Halka Tasleem Kare Jisme Aap Sallallahu Alaihivasallam Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se Gaib Ka Tazkirah Kiya karte they aur Munafiqeen kehte they ye Vaade Poore hone wale nahi hai'n aur Sahaba kehte they Nahi ye Vaade Poore ho Kar rahenge ,
★• _ Aaj bhi Taleem ke Halko mai Usi kaifiyat ki zarurat hai ,Agar is Kaifiyat per Taleem Ka Halka nahi hai to Purane se Purane bhi is Taleem ke Halke se ukta jayenge ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Taleem Ka Maqsad Sirf Shok paida Karna Nahi,*
↬• Allah ke Vaado ko Dilo'n mai taza karne ke liye Taleem Ka Halka hai , Sirf Namaz Ka Shok paida karne ke liye Taleem nahi hai ,
★• _ Tablig mai Taleem Ka Maqsad Sirf Shok per la Kar khatm Kar diya gaya , Jo Amal Wala ban gaya hai Wo Taleem mai nahi bethega , Yu'n kahenge k Naye logo ke liye Taleem hai , Hum bhi pehle betha karte they Jab Namaz nahi padha karte they ,Isse Namazi ban gaye ab iski Kya zarurat hai ?
★• _ Nahi ! Taleem Sirf Namaz Ka Shok paida karne ke liye nahi balki taleem Subeh Shaam Duniya mai fayle hue maaddi Asbaab ke muqable mai Allah ke vaado ke Yaqeen ko taza karne ke liye Taleem hai ,
★• _ Jitni Jama'ate Allah ke Raaste mai nikal rahi Hai'n Nikalne ke Zamane mai Subeh Shaam Taleem Kare ,Subeh ki taleem mai Teen Amal honge ,Qur'an Ka Halka , Muntakhab Ahadees Ki Taleem aur Chhe Sifaat Ka muzakra ,iska Ahatmaam Karna ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Qur'an Ka Halka,*
↬• Ek Ek ko ek ek Aayat ratwayi Jaye , Sahi talaffuz Ada karne ki koshish ki Jaye ,
★• _ Ulma aur Qari Hazraat Jama'ato ke Saath ahatmaam se nikle , Nikalne walo ki Qur'an ki taleem aur Faza'il ki taleem Ka khud ahatmaam Kare , Maulana Ilyaas Sahab Reh.farmate they - Har Jama'at ke Saath Molvi ,Qari ho ,Jo inko Deen ki taleem de ,Jo inko Qur'an sikhlaye ,
★• _ Allah ke Raaste ki Sahaba ki Naqal harkat mai bhi iska ahatmaam hota Tha , Jaahil log aate they ,Ulma Saath nikalte they ,Naye log aate they unhe bhi Dawat de Kar nikaala Jata tha, Dawat Asal thi ,Iske jimn mai naye log Purano se seekha karte they ,
★• _ Aap Zara Seerat per gor Kare ,Is Dawat Ke Kaam ko kisi Firke ya Jama'at Ka Kaam Alag samajh Kar na chale ,Ye badi na samjhi ki Baat hai , Seerat ki taraf Jaye to samajh mai aayega Dawat Ka Kaam ,Mojooda Soorate Haal ko dekhoge to samjhoge k ye Ek giroh hai koi Jo Apna Kaam Kar raha hai ,
★• _ Esi Baat nahi hai Deen Ke Tamaam shobo mai Khayr lane ke liye Ummat ko Tamaam Shobo se Jodne ke liye ye Asal Mehnat Ka maqsad hai , Isliye Taleem ko Asal tareeqo per Lao ,
"__ Subeh ki taleem Mai Do Do ki Jodi bana Kar ek ek Qur'an ki Aayat inke jimme karo ,Ek doosre ko sunaate rahe ,Theek karate rahe ,Agle Din usko Suna Jaye fir agla Sabaq diya Jaye ,isi tarah Khurooj ke Zamane mai Qur'an ke Halke Ka mamool hoga Jese Qurani makatib mai Bachcho ko padhane Ka mamool hota hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Kaam Ko Taqseem na Karo,*
↬• Subeh ki taleem mai Muntakhab Ahadees hi padhi Jaye ,Ye Taleem ki Buniyadi haisiyat rakhti hai ,
★• _ Isliye k 6 number per Hazrat Ji Reh. ne Muntakhab kar ke Ahadees jama ki Hai'n ,Ye 6 number Tablig ki Buniyadi sifat hai , Saara Kaam 6 Sifaat hai , In 6 sifaato ki roshni mai Haqeeqat Tak pahunchna hai ,Inko Hadees ki Roshni mai Bayan Karna ye Muntakhab Ahadees Ka Asal Maqsad hai ,
★• _ Khuda ki qasam isse bada azaab aur koi nahi hai k is Kaam ko Taqseem karne ki koshish ki Jaye ,Isse bada Ummat per azaab koi aur nahi hai, Saari Duniya mai Kaam ek Rukh per hai ,Isko Do rukho per Taqseem Karne se bada jurm aur Koi nahi Hai ,
★• _ Ikhtilaf karne walo ko samjhana hamara fariza hai ,Unka ikraam Karna hamara maqsad hai ,Dooriya'n paida karne Ka mat Socho balki har qeemat per Saath le Kar chalne ki socho , Tashaddud bhi hoga , Nabuwat Ka Kaam ye hai k Dab Kar , bardasht Kar ke,Allah se Maangte raho ,Maangte raho,Maangte raho ,Kabhi to Dil naram ho jayenge ,kabhi to Baat samajh mai aayegi ,
★• _ Mai'n to Hairaan hu'n , Gairo ko samjhate hai'n Apno ko nahi samjhate ,Gairo ki takleefe bardasht karte hai'n Apno ki nahi karte ,Ajeeb Baat hai,Jab Tum Gairo ko samjha Kar Apna bana sakte ho to Apno ko samjha kar Apna nahi bana sakte ?
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Kaam Ki Tarteeb Poori Duniya mai Ek Hai,*
↬• Kaam ki Tarteeb Poori Duniya mai Ek hai ,Kaam ke kisi Juz se agar Koi ikhtilaf Kare to Juzyaat ki vajah se Ummat se ikhtilaf nahi karenge ,
★• _ Hum Apna Kaam karte rahenge Jo kaha gaya hai aur Samjhate rahenge , Usool Ladne ke liye nahi hai'n ,Usool to Darte hue Amal karne ke liye hai'n , Usool per ladna Sabse Badi himakat hai ,Usool ke liye ladna Sabse Badi Be-Usooli hai ,
★• _ Muntakhab ke Baad 6 Sifaat Ka muzakra ho , Zohar ki taleem mai Fazaile A'amaal , Fazaile Sadqaat ahatmaam se padhi jawe , Hazrat Shekhul Hadees Zakariya Reh. ne Jo Ahadees ke Zel mai Fawaa'id ( faayda) likhe hai'n ,Ye bada qeemti sarmaya hai , Ek Muhaddise Aazam Ka Ahadees ke Majmu'e Ka nichod hai Faayda ,
★• _ Is Fawaa'id ko intehayi tavajjoh se Suna Jaye ,Padha Jaye aur Tanhaiyo'n mai Beth Kar gor Kiya Jaye in Fawaa'id per to har Shakhs ko Apne Deen ki kami Ka khud Ahsaas hoga ,
★• _ Taleem koi Rasm nahi hai ,Iske zariye Apne Apne andar Deen ki kami Ka Ahsaas paida Karna hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Dhaa'i Ghante Ki Mulaqaat Masjid Ki Abaadi ki Mehnat,*
↬• Hamara sabka haal ye hai k Hum Ri'ayat karte hai'n musalliyo ki isliye ye Taleem girte girte 5 minute 2 minute per aa gayi hai ,
★• _ Beshumaar log hamare mohalle mai ese hai'n Jo retired ho chuke hai'n koi Kaam nahi hai ,Gharo mai pade hue hai'n ,Fursat kisi na kisi Gunaah mai mubtila rakhegi , Agar ye log Masjid ke khoota ban jaye ,Masjid mai pad Jaye to inke Masjid mai pad Jane ki vajah se mohalle ke log Masjid se istefada karenge ,
★• _ Hamari Masjide Khaali hai'n ,Fir Shikayat karte hai'n k Masjide haath se ja rahi Hai'n ,Kyu na Jaye ? Musalman ke Allah ke gharo ko Abaad na Karna aur iski Na-Shukri ye Musalman ki Masjido Ka inke haath se Jane Ka Asal Sabab hai ,
★• _ Isliye Taleem ke Saath taleemi Gasht , Ek taleemi Gasht hoga Khurooj ke Zamane mai,ek taleemi Gasht hoga khud Apni Basti mai rehte hue , Dono jagah taleemi Gasht hai , Muqaam per bhi aur Khurooj mai bhi , Muqaam per taleemi Gasht kab hoga ? Muqaam per Jo taleemi Gasht hoga Wo Dhaa'i ghante ki Mehnat hai , Dhaa'i ghante ki mulaqaate yahi taleemi Gasht hai ,
★• _ Bazaaro mai, Gharo mai,Hotalo mai koi jagah mat Chhodo mulaqaat se ,Ye Khayal Galat hai k Masjid ki Abaadi ki vajah se gharo ki mulaqaate chhodna chahte hai'n balki Jis Ghar ki mulaqaat Ka Mashwara ho gaya us Ghar ki mulaqaat karte hue Masjid se le Kar us Ghar ke darmiyan ke har fard ko Dawat de Kar Masjid ke Amaal ki taraf Lana , Jo mulaqaat ke liye Tay ho gaye Wo mulaqaat ke liye Masjid ke atraaf mai Bazaaro mai,Hotelo mai ,Ayyashi ke addo mai , Sharaab khano mai , Taash ke halko mai, Jaha'n Jaha'n Musalman jis Haal mai hai Ek Ek Musalman ko Masjid Ke Mahol mai Lana , Musalman ko Masjid mai aane ke aitbaar se Haqeer Samajhna ye badi himakat hai , Kyunki ek Musalman Jesa bhi hai uska darja Baitullah se ouncha hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Gharo mai Qur'an Ka Halka Hidayat Ka Zariya Hai ,*
↬• Ek Musalman Ka muqaam Baitullah se ouncha hai , Masjide Baitullah se adna hai'n ,Kisi Musalman ko Masjid mai aane ke qabil na Samajhna badi na samjhi ki Baat hai,
★• _ Is tarah Hume ek ek Musalman ko samjha Kar Taleem ke Halke mai la Kar Jodna hai Jo Taleem Masjid mai Dhaa'i Ghante Ki Mulaqaat ke Dauraan ho rahi Hai ,Ek taleem Masjid ki Wo hai Jo Namaz ke Baad Masjid mai karne Ka mamool hai ,Is Taleem mai Sabhi shirkat Kare ,Isme Taleemi Gasht nahi hai ,Taleemi Gasht jab Shuru hoga ja Dhaa'i ghante ki mulaqaate Shuru hongi , Is tarah Hume Taleem Ka ahatmaam Karna hai,
★• _ Isi tarah Apne muqaam per Jo Paanch A'amaal batlaye ja rahe hai'n ye nayi Baat nahi hai ,Sahaba ki seerat hai ,Kaam mere Aapke tajurbaat per nahi hai,Meri Aapki Soch per nahi hai,Kaam seerat per hai ,Gharo mai Qur'an Ka Halka ye Hidayat Ka zaroori zariya hai ,
★• _ Ye Hijrat se pehle Ka Amal hai , Umar Raziyallahu Anhu ki Hidayat mili hai us din Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam ko qatl ka azm le Kar nikle they , Jab Behan ke Ghar dakhil hue to waha'n Qur'an Ka Halka chal raha tha , Hazrat Khabbaab Raziyallahu Anhu Umar Raziyallahu Anhu Ke Behan Behnoyi ko Qur'an sikhla rahe they , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko Hidayat yaha'n se mili ,
★• _ Ghar se nikle they Aapko qatl karne Ka Taqaza le Kar , Yaha'n se nikal rahe hai'n Islam qubool karne Ka Taqaza le Kar ,Ye Kehne ki baate nahi hai'n , Haqeeqat hai ,Ye kehna k Tablig mai naye Naye Kaam Shuru ho rahe hai'n, Mai'n to Kehta hu'n Sahaba ke Amal ko Naya Kehne Wala khud Naya hai ,Kaam Naya nahi hai,Isko Naya Kehne Wala Naya hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Is Kaam Ki Mukhalfat Karna Barahe Raast Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Ke Tareeqa E Amal Ki Mukhalfat Karna Hai,*
↬• Hazrat Ji Maulana in'amul Hasan Sahab Reh. Unka khud Khat mojood hai Kaam karne walo ke naam ,"_Rozana gharo mai Qur'an ki Tashreeh Ka Halka 6 Naumbero ke muzakre ke Saath taeem ke Saath Karna chahiye _,"
★• _ Ameer ( Hazrat Ji Reh.) Ka hukm hai , ita'at isko nahi kehte k kaha hoga Unhone Hum Mashwara karenge , isse badh Kar Sahaba ki seerat saamne hai , Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki Seerat Sabse badh Kar hai ,
★• _ Rozana gharo mai Qur'an ki Tashreeh Ka Halka aur kyu na ho ye Fariza hai , Qur'an Ka hukm hai _," _ Apne Aapko aur Apne Ghar walo ko Jahannam ki Aag se bachao _," Jahannam mai Jane Ka Sabse Pehla Sabab Namaz Ka chhodna hai , K itna Qur'an Seekhna farze ayn hai har Ghar ke har fard ko har Mard Aurat ke liye Jisse Namaz Durust ho Jaye ,Namaz durust nahi hogi Qur'an ke bager ,
★• _ Isliye Rozana Ghar mai Taleem ke Saath Qur'an Ka Halka ho aur usme Ghar Ka har fard ki shirkat ho ,Esa Waqt dekhe Taleem ke liye Jo sabki Fursat Ka aur Sabke Jama hone Ka Waqt ho , Halka laga Kar bethe ,Ek ek se Qur'an ki Aayat suni Jaye , Esi Aurte'n Jo Ayyaam mai Hai'n Wo Qur'an nahi padh sakti Wo Beth Kar sune ,Lekin Qur'an Ka Halka ek din bhi na chhoda Jaye , Ayyaam se Paak ho Jaye fir padhe Seekhe , fir 6 Sifaat Ka muzakra aur Allah ke Raaste mai nikalne ke liye Masturaat ki tashkeel ho ,
*★• _ Hazrat Farmate they_ Doodh pite Bachcho ko le Kar betho ,Jo Rehmate Naazil hongi ,Jo Farishte Naazil honge halko per isse Tumhare Bachcho ki Tarbiyat hogi _,*.. yaha'n to Halke se hi ikhtilaf hai ,Kitni badi mehroomi ki Baat hai , A'amaale Sahaba se ikhtilaf , Ye Kaam Masnoon hai , Is Kaam ki mukhalfat Karna barahe raast Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke Tareeqa e Amal ki mukhalfat Karna hai , Dar lagta hai Kahi Allah Ta'ala is khair se ,khairul Quroon ke Tareeqe se mehroom na Kar de ,Kisi Baat Ka inkaar karne se pehle Zaroor Soch Lena k Kahi ye Kaam Seerat mai to nahi Jiska hum inkaar Kar rahe hai'n ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Aurto'n mai Deen Ki Mehnat Zaroori Hai,*
↬• Hume Aurto'n ki Jama'ato ko Kasrat se nikaalna chahiye , Kyu? Aap bataiye Masjide zyada hai'n Duniya mai ya Ghar zyada hai'n ?
★• _ Mardo'n ko to Masjid mai Mahol mil jayega , Aurto'n ko mahol kese milega , In gharo ke mahol ko kese badla jayega , Har Ghar mai Be Deeni ki Aag lagi hai , Isko badalne ke liye har Ghar ke 24 ghante ke nizaam ko Dawat per , ibaadat per , Sunnat per , Taleem ke Halko per , Qur'an ki Tashreeh ke halko per ,in gharo ke 24 ghante ke mamool ko Nabuwat ke Tareeqe per lane ke liye in gharo mai Aurto'n ki Jama'ato Ka dakhil Karna Behad zaroori hai ,
★• _ Shara'it ,Parda , Shara'i Mehram Saath hona ye Shara'it Sabse Zyada ahmiyat rakhti hai , Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Umme Haraam Raziyallahu Anha ke Ghar Araam farma rahe they , Aap muskura kar uthe ,puchha ya Rasulallah kyu muskura rahe hai'n , Farmaya k Mai'ne ek khwaab dekha hai ,Meri Ummat ke ese kuchh log Samundar paar jayenge Kashtiyo'n se safar Kar ke ,Mere Deen ki Dawat ko un Tak pahunchane ke liye ,Aur Wo Kashtiyo'n mai ese bethe honge Jese Badshaah takhto per itminaan se bethe Hote hai'n,
Umme Haraam Raziyallahu Anha ne arz Kiya- Ya Rasulallah mujhe bhi us Jama'at mai Shamil Kar dijiye , ( Umme Haraam Aurat hai'n , Yu'n nahi farmaya k Tumhare karne Ka Kaam nahi hai ya Sirf Mardo'n Ke karne Ka Kaam hai ), Farmaya k Umme Haraam tum Usi Jama'at mai ho ,
_ Dobara Aap soye ,Aap dobara muskrate hue uthe , Farmaya - mujhe ek Jama'at dikhlayi gayi Usi Tarah , Umme Haraam ne kaha - Doosri Jama'at mai bhi mujhe Shamil kar dijiye , Farmaya - Umme Haraam ,tum Doosri Jama'at mai kese Shamil ho sakti ho ? Jab Pehli Jama'at mai nikal Kar Us Mulk mai tumhari wafaat ho jayegi ,Tumhari Qabr Waha'n banegi ,
★• _ Ek Aurat Jisko batla diya gaya Hai k Teri Maut Fala Mulk mai hogi ,Wo Jane ko Taiyaar hai ,Ye Aurto'n ke jazbaat they , 
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Ansar Ki Tarah Apne Gharo Ko Pesh Karo,Aane Wali Masturaat ki Jama'ato Ke Liye,*
↬• Aurto'n ki Jama'ato Ki Naqal harkat inka Khurooj zaroori hai har Ghar mai dakhil hone ke liye ,
★• _ Aap Zara gor Kare'n Agyaar ne Musalmano ke gharo ke andar , yaha'n hi nahi Aap Saara Arab Saara Urope  ja Kar dekhiye , Allah ke gair ki Pooja karane ke liye ,gharo ko gair Ka ma'abad banane ke liye gair Muslim Allah ko na maanne wale mulajim rakhe Jate hai'n ,Na Samajh Musalman Rafta Rafta Unke Tareeqe akhtyar Kar lete hai'n, Baatil Bahut Shaatir hai ,Bahut Samajhdaar hai , Musalman to abhi bhi Beth Kar yahi sochega k Kya ye Aurto'n ke karne Ka Kaam hai ? Waha'n gair  Apni Aurto'n ko dakhil kar rahe Musalmano ke gharo mai k tum jao inke gharo mai Musalmano ko inke Deen se ,Islam se hata do , Yaha'n hum isi Soch mai pade hai'n k Aurto'n ki Jama'at ki Kya zarurat hai ?
★• _ Isliye arz kar raha hu'n ,Do maah Teen Din Apni masjid ki Mardo'n ki Jama'at ke Saath  aur Teesra Mahina Teen Din Apni Masturaat ke Saath  nikle , Har Masjid walo se ye kehna hai k Masjid waar Jama'at Ka har Saathi Ansar ki tarah aane wali Masturaat ki Jama'at ke liye Apne Gharo ko Pesh Kare ,Ye har Masjid ke Zimmedaro ko chahiye k wo iski targeeb de ,
★• _ Tashkeel Karo Saathiyo'n ki , Kon Masturaat ki Jama'at ki Nusrat  karega Apne Ghar mai ? Kahi Jama'at aa Kar thehar Jaye Masturaat ki ,Aas paas ki Aurte'n aa Kar Taleem mai Shirkat Kar le ,Ye Hargiz Kaafi nahi hai ,jab Tak Us Ghar mai Kam se Kam 24 ghante Jama'at Reh Kar us Ghar ke Afraad ko Saath le Kar unhe Khane ki Sunnate ,Sone ki Sunnate,Taleem Ka Tareeqa, Namaz Ka Tareeqa, imaan , ibaadaat jab Tak Saath Reh Kar Amali Tor per na sikhlaye ,Ghar ke mahol mai Tabdeeli nahi aa sakti ,
"_ Mai'n nahi samajhta k gharo Ka mahol Sirf haftewari Taleem se badal Jaye , Haftewari Taleem Ghante 2 Ghante ki hai , Ek Ghar ke 24 ghante ke nizaam ko badalne ke liye ye buniyadi zariya hai k Koshish Karo Har Ghar mai Masturaat ki Jama'at dakhil ho Jaye,
*
                    
Duniya mai Reh Kar Karne Ke Hai'n- Dawat , ibaadat Aur Taleem ,*
↬• Isha ki Namaz ke Baad bhi Masjid ki Abaadi Ka Amal kiya ja sakta Hai , Balki Karna chahiye ,Sunnat hai ,
★• _ Isha ki Namaz Takheer se hone per bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam Isha ke Baad Jaate they Añsàr ke Mohalle mai , Khade khade Dayr Tak ,Aap Ansar ko Hijrat ke Waqi'aat Sunnate , Is Raaste ki Takaaleef aur Faza'il batate ,
★• _ Jo Musalman jab Jaha'n milega ,Jis Waqt milega mulaqaat Karo , Ansar Raziyallahu Anhum Kaashtkaar they , Mulaqaat ke liye Isha ki Namaz Takheer se hone ke baad bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam Ansar ke Mohalle mai Jate they, Hamare Yaha'n to Isha ki Namaz Awwal Waqt mai ho jati hai , Agar is faarig Waqt ko Dawat ibaadat mai nahi lagaoge to Ye Waqt yaqeenan Kisi Gunaah mai istemal hoga ,
★• _ Isliye Apne Waqt ki hifazat karni hai , Layaani se bachna hai , Bahut Si cheeze be Asal hai , Mobile Ka Zamana hai ,Pehle to Geebat karne ke liye kisi ke paas betha Jata Tha ,Ab Halaat ye hai k Ek is Mulk mai betha hai ,Ek doosre Mulk mai betha hai aur Geebat chal rahi hai , Log kehte hai'n in cheezo se Sahulat ho gayi hai , Mai'n Kehta hu'n k in Alaat ne  Gunaaho ko ijtimayi bana diya ,
★• _ Hadees mai aata Hai Ek Aadmi ke jhoota hone ke liye Kaafi hai k Suni Hui Baat ko aage bada de , isliye Apne Aapko Aadi banao Dawat Ke Kaam Ka ,Dawat mai , ibaadat mai ,Ulma ki Majlis mai,Deen Seekhne mai , 
"__ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmaya karte - Agar ye 3 Kaam na Hote, Ek Allah ke Raaste mai firna na hota to Mai'n Duniya mai rehna pasand na karta , Ek Agar Allah ko Lambe Lambe Sajde Karna na hota to Mai'n Duniya mai rehna pasand na karta , Aur Agar Ulma ki majalis mai Beth Kar Unki Baato ko Chun Chun Kar istefada Karna na hota to Mai'n Duniya mai rehna pasand na karta , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki Zubaan per to Sahi Baat daali jati thi ,Farishte Unki Zubaan per bolte they , Wo farma rahe hai'n k ye 3 Kaam Duniya mai na Hote to Duniya mai rehne Ka koi maza nahi hai , Dawat ,Taleem aur ibaadat , isliye Apne Aapko is tarteeb per ,is Rukh per le kar ijtimayi Tor per chalne hai , *( in Sha Allah )*
----
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
* Admin (Haqqkadaayi) Ki Diary _2018 ,*
☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*,
                         
              ⚀ *Talib e Dua*,
             ⊙ *Haqq Ka Daayi*,
http://www.haqqkadaayi.com/search/label/Dawat%20Tablig?m=0 
 *For all msgs Plz Visit*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔            

Post a Comment

 
Top