0

                      ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤٰﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ
           ✰══❖══✰═══❖══✰
        鹿 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 鹿
        *⊙ FAZAIL- E - RAMZAN ⊙*
╨─────────────────────
*┱✿ Ramzanul Mubarak Ki Aamad Per Sarkare Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam Ka Khutba Istaqbaliya_*
┱ _ Hazrat Salman Faarsi Raziyallahu Anhu ne Bayan farmaya k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Sha'abaan Ki Aakhri Tareekh mai Humko Khitaab farmaya k -"__ Ey logo ! Ek ba azmat Mahina aa pahuncha hai ,Jo Maahe Mubarak hai , Isme Ek Raat hai Jo Hazaar maah se Behtar hai , is Maah ke Roze Allah Ta'ala ne farz farmaye hai'n aur iski Raato mai Qayaam karna  Tatavvu ( Gair Farz ) qaraar diya Hai ,
┱_ Is Maah Jo Shakhs koi Nek Kaam Karega usko esa Ajr v Sawab milega Jese iske alawa doosre Mahine mai Farz Ada karta aur Farz Ka sawab milta , aur Jo Shakhs is Maah mai ek Farz Ada Kare to Usko Sattar farzo ke barabar Sawab milega ,
┱_ Ye Sabr Ka Mahina hai aur Sabr Ka badla Jannat hai aur Aapas mai gamkhwari Ka mahina hai , isme Momin Ka Rizq badha Diya Jata Hai, is Maah mai Jo Shakhs kisi rozedaar Ka Roza aftaar Kara de to ye uski magfirat ka Dozakh se uski Gardan ki azaadi Ka Samaan ban jayega ,aur usko is qadar sawab milega Jitna Rozedaar ko milega ,Magar Rozedaar ke sawab mai se kuchh kami na hogi _,"
┱ _ Hazrat Salman Raziyallahu Anhu Ka Bayan hai k Humne arz Kiya- Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ! Humme har Shakhs ko itna muqaddar nahi Jo Roza aftaar Kara de , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Allah Ta'ala ye sawab usko ( bhi ) dega Jo Paani mile hue thode se doodh ya Ek khajoor ya Ek ghoont Paani Se aftaar Kara de , ( Mazeed farmaya k ) Jo Shakhs ( aftaar ke Baad ) kisi rozedaar ko pet bhar ke khana khila de Usko Allah Ta'ala mere Hauz se Esa Sairaab karenge k Jannat mai dakhil hone Tak pyaasa na hoga , ( aur fir Jannat mai to Bhook Pyaas Ka naam hi nahi )
┱ _Is Maah Ka Avval Hissa Rehmat hai , Doosra Hissa Magfirat hai ,Teesra hissa Dozakh se Azaadi Ka hai , Jisne is Maah mai Gulaam Ka Kaam halka Kar diya to Allah Ta'ala uski magfirat farma denge , Baaz rivayato mai ye bhi aaya hai k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne is moqe per ye bhi farmaya k is Maah mai Chaar kaamo ki kasrat Karo , Unme se do Kaam ese hai'n k Unke zariye tum Apne Parwardigaar ko Raazi karoge ,aur do Kaam ese hai'n Jinse tum be niyaaz nahi ho ,
*"_'Wo do Kaam Jinke zariye Khuda e Paak ki khushnudi haasil hogi ye hai - 1-"_ Laa ilaaha illallaah _" Ka vird rakhna aur 2- Khuda e Paak se magfirat Talab karte rehna ,
Aur Do Wo cheeze Jinse tum be niyaaz nahi reh sakte ye hai'n - 1- Jannat Ka Sawal aur 2- Dozakh se Panaah maangna _,"
*Mishkaatul Masabeh-173 Ba hawala Bayhiqi Fi Shoebul imaan v Targeeb v Tarheeb _,*
 
           ✰══❖══✰═══❖══✰
     *┱✿ Roza Badni ibaadat hai_*
┱ _ insaan ki takhleeq ibaadat aur Mahaz ibaadat Ke Liye hai ,Jesa k Surah Zariyaat ( Aayat-56 )mai farmaya gaya Hai:-
*_وَمَا خَلَقْتُ الْجِنَّ وَالْإِنسَ إِلَّا لِيَعْبُدُونِ_,*
"_ Aur Maine insaan aur Jinn ko nahi paida Kiya Magar is waaste k Wo Meri ibaadat Kare _,"
┱ _Roza Badni ibaadat hai Jo pehli Ummato per bhi Farz Tha ,Jesa k Surah Baqrah ( Aayat 183 )mai farmaya hai :-
*__يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا كُتِبَ عَلَيْكُمُ الصِّيَامُ كَمَا كُتِبَ عَلَى الَّذِينَ مِن قَبْلِكُمْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ__*
"_ Ey imaan Walo ! Tum per Roze Farz kiye gaye Jesa k Tumse pehle logo per Farz kiye gaye they ,Taki tum parhezgaar bano ,ye Roze Chand dino ke hai'n _,"
           ✰══❖══✰═══❖══✰
            *┱✿ Roze Ki Hikmat_*
┱ Qur'an mai  _ْ لَعَلَّكُمْ تَتَّقُونَ Mai Roze Ki Hikmat ki taraf ishara farmaya gaya Hai , Taqwa Sagira v Kabira ,Zaahiri aur Baatini Gunaaho se bachne Ka naam hai ,Roze ki farziyat Taqwa haasil karne ke liye hai ,
┱_ Poore Mahe Ramzan Ke Roze rakhna Har Aaqil Baalig Musalman per Farz hai ,Agar Koi Waaqa'i Ramzan ke Ahkaam v Adaab ki roshni mai Roza rakhe Jo Qur'an Hadees mai waarid hai'n ,to Ek Mahina khana Pina aur Jinsi Talluqaat ke muqtaza per Amal karne se agar ruke rahe to Baatin ke andar Nikhaar aur Nafs ka tazkiya aur Nafs ke andar sudhaar paida ho jata Hai ,
┱_ Ramzanul Mubarak ke Roze ke alawa Nifli Roze bhi mashroo kiye gaye hai'n Un Rozo Ka mustaqil sawab hai Jo Rivayat mai Mazkoor hai'n aur sawab ke alawa Nifli Rozo Ka ye faayda hai k Ramzanul Mubarak ke Roze Rakhte Waqt Jo Amali Kotaahiya'n ho Jaye Unki talafi ho jati hai ,
┱ _Jo Gunaah insaan se sarzad ho Jate hai'n Unme Sabse Zyada do cheeze gunaah Ka baa'is banti hai'n ,Ek moonh aur Doosri Sharmgaah , Chunache Imaam Tirmizi ne Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Naqal Kiya hai k - Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam se daryaft Kiya gaya k Sabse Zyada Konsi Cheez Dozakh mai dakhil karane Ka zariya banegi , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne jawab diya - moonh aur Sharmgaah ,"
"_in dono ko dozakh mai dakhil karane mai zyada dakhal hai ,Roze se Moonh aur Sharmgaah dono per pabandi hoti Hai aur Mazkoora dono cheezo se Jo gunaah ho sakte hai'n Roza unse Baaz Rakhne Ka Bahut bada zariya hai , isiliye to ek Bukhari v Muslim mai farmaya - Roza Dhaal hai ( gunaah se aur Aatishe Dozakh se )
 
           ✰══❖══✰═══❖══✰
          *┱✿ Roze Ki Hifazat _*
┱ _ Agar Roze ko Poore ahatmaam aur Ahkaam v Adaab ki mukammal ri'ayat ke Saath poora Kiya Jaye to bila shubha Gunaaho se Mehfooz rehna Asaan ho Jata hai,Khaas Roze ke Waqt bhi aur Roze ke Baad bhi ,
"__Aur agar kisi ne Roze ke Adaab Ka Khayal na Kiya aur Gunaaho mai mashgool rehte hue Roze ki Niyat kar li aur Khaane pine ,nafsaani khwahish se to bacha raha Magar Haraam kamane aur Geebat karne mai laga raha to usse Farz to Ada ho jayega Magar Roze ki Barkaat v Samraat se Mehroomi rahegi ,Jesa k Hadees mai irshad farmaya:-
"_ Jo Shakhs Roza rakh Kar Jhooti Baat aur Galat Kaam na chhode to Allah ko kuchh haajat nahi k wo ( Gunaaho ko chhode bager ) Mahaz khaana Pina Chhod de _," *( Bukhari An Abi Huraira Raziyallahu Anhu-16 )*
┱_ Maloom hua k Khana Pina aur Jinsi Talluqaat chhodne se hi Roza Kaamil nahi hota balki Roza ko fawahish ,munkiraat aur har tarah ke Gunaaho se mehfooz rakhna Laazim Hai, Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jab Tumme se kisi Ka Roza ho to gandi Baate na Kare ,shor na machaye , agar koi Shakhs gaali galoch ya ladaai Jhagda karne lage ( to usko Jawab na de balki ) Yu Keh de k Mai'n Rozedaar hu'n ,( Gaali galoch, ladaai Jhagda karna Mera Kaam nahi hai ) *( Bukhari v Muslim )*
┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k farmaya fakhre Bani Aadam Aadam Sallallahu Alaihivasallam ne k Bahut se Rozedaar ese hai'n Jinke liye ( Haraam Khaane ya Haraam Kaam karne ya Geebat vagera karne ki vajah se ) Pyaas ke alawa kuchh bhi nahi ,aur Bahut se tahajjud Guzaar ese hai'n Jinke liye ( Riyakaari ki vajah se ) jaagne ke Siva kuchh bhi nahi _," *( Daarmi )*
╨─────────────────────
          *┱✿ Roza aur Sahat_*
┱ _ Roze mai Jaha'n Zaahir v Baatin Ka tzkiya hota Hai Wahi Sahat v Tandurasti bhi Haasil hoti Hai , Chunache Hafiz Manzri Reh. ne " Targeeb v Tarheeb " mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka ye irshad Naqal Kiya hai :-
"__ Jihaad Karo Ganimat haasil hogi ,Roza rakho Tandurasti haasil hogi ,Safar Karo Maaldaar ho Jaoge_,"
┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Jo kuchh farmaya bilkul Haq hai , Aankho ke saamne hai , Doctor v Tibba bhi ye batate hai'n k Roze Ka Jismani Sahat se Khaas talluq hai aur Ramzan mai Jo Maajra Sab Apni Aankho se dekhte hai'n k 12- 14 ghante Khaali pet Reh Kar Aftaar ke Waqt naram garam daal pakodi ,kachche pakke chane aur tarah tarah ki cheeze Chand minute ke andar maide mai Pahunch jati hai'n aur Kuchh bhi kisi ko takleef nahi hoti, Ye Sirf Roze ki Barkat hai , Agar tibbi nuqta e Nazar se dekha Jaye to is tarah Khaali pet anaap sanaap bharti Kar lene ki vajah se maida Sakht Bimaar ho Jana chahiye ,
╨─────────────────────
          *┱✿ Roze Ki Fazilat__*
┱ _ Ek Roza rakh lene per Khuda e Paak ki taraf se Kya in'aam milta hai,iske bare mai Sayyadul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__ Jo Shakhs Allah ki khushnudi ke liye ek din Roza rakhe Allah Ta'ala usko Aatishe Dozakh se itni door Kar denge Jitni door koi Shakhs Sattar ( 70 ) Saal Tak chal kar Pahunche _,"
* Bukhari v Muslim An Abi Saied Khudri Raziyallahu Anhu _,*
┱_ Aur Khaas Ramzan ke Roze ke bare mai irshade Nabvi Sallallahu Alaihivasallam hai k -
"__ Shar'an Jise Roza chhodne ki ijazat na ho aur Aajiz karne Wala marz bhi lahiq na ho usne agar Ramzan Ka ek Roza Chhod Diya to Umar bhar Roze rakhne se bhi us ek Roze ki talaafi na hogi Agarche ( bator qaza ) Umar bhar Roze bhi rakh le _,"
* Ravaah Ahmad v Tirmizi v Abu Daowd v ibne Maaja v Daarmi An Abi Huraira Raziyallahu Anhu , Mishkaat _,*
┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Roze ke bare mai ye bhi irshad farmaya k :-
"__ insaan Ke har Amal Ka Ajr ( Kam az Kam ) das guna badha Diya Jata Hai ( Lekin ) Roze ke bare mai Allah Ta'ala Ka irshad Hai k Roza us qanoon se mustasna hai Kyunki wo Khaas mere liye hai aur Mai'n hi uski jaza dunga Banda Meri vajah se Apni khwahisho ko aur Khaane pine ko Chhod deta Hai _,"
* Bukhari v Muslim An Abi Huraira Raziyallahu Anhu _,*
╨─────────────────────
*┱✿ Rozedaar Ke Liye Jannat Ka ek Khaas Darwaza _*
┱ _ Hazrat Sahal bin Sa'ad Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jannat mai Aath (8) darwaze hai'n Jinme se ek Ka naam " Rayyaan " hai ,usse Sirf Rozedaar hi dakhil honge _,"
* Mishkaat _173 Az Bukhari v Muslim ,*
*┱_ Rozedaar ko Do Khushiya'n _,* _ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai k Rozedaar Ke Liye Do Khushiya'n hai'n ,Ek Khushi aftaar ke Waqt hoti Hai aur Ek Khushi us Waqt hogi Jab Apne Rab se mulaqaat Karega _,"
* Mishkaatul Masabeh- 16 Az Bukhari v Muslim_,*
┱_ Dar Asal Rab ki mulaqaat hi to ibaadat Ka Asal Maqsad hai ,us Waqt ki Khushi Ka Kya kehna Jan Aajiz Bande Apne Ma'abood se mulaqaat karenge ,Allah Ta'ala Hume bhi ye mulaqaat Naseeb farmaye ( Aameen )
╨─────────────────────
      *┱✿ Ramzan Aur Qur'an_*
┱ _ Kalame ilaahi ko Ramzanul Mubarak se Khaas talluq hai Jesa k Surah Al-Baqara,( Aayat 185 ) mai irshad Hai :-
*"__شَهْرُ رَمَضَانَ الَّذِي أُنزِلَ فِيهِ الْقُرْآنُ _,*
*"__ Maahe Ramzan hai Jisme Qur'an Naazil Kiya gaya hai _,"
┱_ Qayame Ramzan Yani Namaze Taraveeh ,Ye bhi Qur'an Shareef padhne aur Sunne ke liye hai ,Din ko Roze mai mashgooliyat aur Raat ko Taraveeh mai khade ho Kar zoq v shoq se Qur'an Padhna ya Sunna isse Momin ke Qalb (Dil ) mai Ek Ajeeb kaifiyat Paida hoti Hai aur Ye dono ( Roza aur Qur'an ) Qayamat ke Din Momin ke kaam aayenge ,
┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai :-
"__Roza aur Qur'an Bande ke liye Baargaahe ilaahi mai sifarish karenge ,Roza kahega k Ey Rab ! Maine is Bande ko Din mai Khaane pine aur Doosri khwahisho se rok Diya tha ,Lihaza iske bare mai Meri Sifarish qubool farma lijiye , aur Qur'an Majeed arz Karega k Maine ise Raat ko Sone nahi Diya ,Lihaza iske bare mai Meri Sifarish qubool farma lijiye , Chunache dono ki Sifarish qubool Kar li jayegi _,"
* Mishkaat-173 An Bayhiqi Fi Shoebul imaan ,*
┱ _Har Saal Ramzanul Mubarak mai Hazrat Jibraiyl Alaihissalam Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se Qur'an Majeed Ka Daur Kiya karte they ,Aap Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Jibraiyl Alaihissalam ko sunate aur Wo Afzalul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ko sunate they , Jis Saal Aap Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat Hui do baar Daur Kiya ,isse pehle ek baar Daur Kiya karte they _," ( Bukhari )
┱ _Isse maloom hua k Ramzanul Mubarak mai Huffaaz Kiraam Ka ek doosre ko sunane Ka Jo marooj tareeqa hai ye Masnoon hai , Ramzan mai himmat Kar ke Hifz v Naazra khoob Quran ki Tilawat kiya Kare ,
╨─────────────────────
*┱✿ Ramzan mai Siyaam Aur Qiyaam_*
┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k-
"_Jisne imaan ke Saath aur Sawab Ka Yaqeen rakhte hue Ramzan ke Roze rakhe ,uske Pichhle Gunaah Maaf kar diye jayenge, aur Jisne Ramzan ( ki Raato mai ) imaan ke Saath aur Sawab Ka Yaqeen rakhte hue Qiyaam Kiya ( Taraveeh aur Nifl mai mashgool raha ) uske Pichhle Gunaah Maaf kar diye jayenge, Aur Jisne Shabe Qadr mai imaan ke Saath sawab samajhte hue Qiyaam Kiya uske Pichhle Gunaah Maaf kar diye jayenge _,"
* Mishkaatul Masabeh-173 Az Bukhari v Muslim ,*
┱_  Ramzanul Mubarak mai Raato ko Namaz padhte rehna Qiyaam e Ramzan kehlata hai , Taraveeh bhi isme dakhil hai aur Taraveeh ke alawa Jitne nawafil padh sake Padhte rahe , Hazrat Imaam Abu Hanifa Reh.se manqool hai k Woh Rozana Taraveeh Ba Jama'at se faarig ho Kar Subeh Tak ek Qur'an Majeed Namaz mai khade ho Kar khatm Kar lete they aur Ek Qur'an Majeed Rozana Din mai khatm karte they, is tarah Ramzan mai Unke iksath (61) khatm ho Jate they ,
╨─────────────────────
           *┱✿ Taraveeh _*
┱ _ Namaze Taraveeh Mardo'n aur Aurto'n sabke liye Bees (20) Raka'at Sunnate mo'aqada hai, Aur Mardo'n ke liye ye bhi masnoon hai k Masjid mai Ba Jama'at Taraveeh padhe ,Hafiz ho to Qur'an Sunaye Varna Doosro Ka Qur'an sune ,
┱_ Ramzan mai Qur'an Padhne aur Sunne Ka zoq v shoq badh Jana Momin ke imaan Ka Taqaza hai ,Jo log Namaze Taraveeh mai Susti karte hai'n Ya Hafiz Rail ( Tez Raftaar ) ko Taraveeh padhane ke liye Tajveez karte hai'n Taki Jaldi se faarig ho Jaye ( Agarche Tez padhne mai Qur'an ke Haroof Kat Jaye aur Ma'ani badal Jaye ) Ese log Sakht Galti per hai'n , Saal mai ek Maah ke liye to ye moqa Naseeb hota Hai isme bhi Masjid aur Namaz ,Quran se lagaav na ho aur Jaldi se bhaagne ki koshish Kare Jese Jail se Bhaag rahe ho ,Bahut badi mehroomi hai , Ese log Taraveeh ke alawa Kya Nifl padhte Jabki Taraveeh Jo Sunnate mo'aqada hai Usko Bad Dili se padhte hai'n balki padhne Ka naam kar ke jald se jald Hotelo mai Jaa kar gappe ladane mai mashgool ho Jate hai'n ,
┱_ Bahut si Aurte'n Roze to rakhti hai'n aur Shabe Qadr mai bhi khoob jaag leti hai'n Lekin Taraveeh padhne mai Susti karti hai'n , Ey Maao'n Behno ! Aakhirat Ke Kaamo mai gaflat na barto , Taraveeh poori 20 Raka'at padha karo ,Agar bil Farz kisi vajah se Maslan Bachcho Ke rone cheekhne ya Unke mareez hone ki vajah se Shuru Raat mai poori Taraveeh na padh sako to Jab Sahri ke liye utho us Waqt poori kar lo , Balki agar Shuru Raat mai Poori Hi Namaze Taraveeh Reh Jaye to Poori 20 Raka'at Sahar ke Waqt padh lo ,
╨─────────────────────
*┱✿ Ramzan Aakhirat Ki Kamaa'i Ka Mahina hai , Isme Khoob Zyada Ibaadat Kare_*
┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k -
"__ Jab ( Maahe ) Ramzan dakhil ho jata Hai to Asmaan ke darwaze khol diye Jate hai'n aur Baaz rivayato mai hai k Jannat ke darwaze khol diye Jate hai'n aur Dozakh ke darwaze band Kar diye Jate hai'n aur Shayateen ( Zanjeero'n mai ) Jakad diye Jate hai'n ( aur Ek Rivayat mai Hai k ) Rehmat ke darwaze khol diye Jate hai'n _,"
* Mishkaat - 173 Az Bukhari v Muslim ,*
┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k -
"__ Jab Maahe Ramzan ki Pehli Raat hoti Hai to Shayateen aur Sharkash Jinn Jakad diye Jate hai'n aur Dozakh ke darwaze band Kar diye Jate hai'n, fir ( Ramzan ke khatm hone Tak ) Unme se koi ek darwaza bhi nahi khola Jata aur Jannat ke darwaze khol diye Jate hai'n fir ( Ramzan ke khatm Tak ) Unme Ka ek darwaza bhi band nahi Kiya Jata aur Ek Nida dene Wala Pukaarta hai k Ey Khayr ke talash karne wale Aage badh aur Ey Buraa'i ke talash karne wale ruk ja _,"
* Mishkaat-173 An Tirmizi ,*
╨─────────────────────
*┱✿ Ramzan Nekiyo'n Ka Mahina Hai_*
┱ _ Ramzanul Mubarak Bahut hi khayro Barkat Ka mahina hai aur Aakhirat ki Kamaa'i Ka Bahut bada Seezan hai ,Jese Sardi ke Zamane mai Garam Kapde Bechne walo ko khoob Kamaa'i hoti Hai isi tarah Akhirat ki Kamaa'i ke liye bhi Khaas Khaas mawaqe aate rehte hai'n ,
┱_ Ramzanul Mubarak Nekiyo'n Ka Mahina hai, isme Ajro sawab khoob zyada badha diya Jata hai,Nifl Ka sawab Fatz ke barabar aur Ek Farz Ka Sattar Farzo ke barabar Sawab milta hai , Jesa k Khutab e Nabvi Sallallahu Alaihivasallam mai Guzar Chula hai ,is Maah mai Nekiyo'n ki Esi Hawa chalti hai k Khud ba khud Tabiyate Neki per aa jati hai'n , aur Allah ka munaadi bhi Neki karne wali ko thapki de de Kar aage badhata hai , Esi Soorat mai Momin Bande khoob zor shor se Nekiyo'n mai lag Jate hai'n ,  Jo Shakhs doosre mahino mai do Raka'at Namaz padhne se Jaan churate hai'n Wo Ramzanul Mubarak mai Paanch Waqt Aur Tilawat ke Paband ho Jate hai'n , aur Taraveeh bhi Khushi Khushi Ada karte hai'n , Bahut se Sharabiyo'n ko dekha hai k is Maah mai Sharaab Chhod dete hai'n aur Haraam Kamaa'i wale Haraam se Baaz aa jate hai'n ,
┱_ Fara'iz Ka ahatmaam to baharhaal zaroori hai,Nifli Namaz ,zikr, Tilawat aur Digar ibadaat ki taraf bhi khusoosi tavajjoh Karna chahiye, is Maah mai koshish Kare k koi minute zaay na ho , Laa ilaaha illallaah aur istigfaar ki kasrat Kare , Jannat Ka Sawal aur Dozakh se Mehfooz rehne ki Dua bhi kasrat se Kare , Shayad Kisi ke Dil mai ye khayal guzre k jab Shayateen qaid ho Jate hai'n to Bahut se log Ramzanul Mubarak mai bhi Gunaaho mai mubtila rehte hai'n? Baat dar Asal ye hai k insaan Ka Nafs gunaah karane mai Shaitaan Se kam nahi Hai, Jin logo ko Gunaaho ki khoob aadat ho jati hai unko Gunaaho Ka chashka pad Jata hai , Shaitaan ki targeeb ke bager bhi Unki Zindgi ki gaadi Gunaaho ki patri per chalti rehti hai ,
┱ _Gubaah to insaan se ho jata Hai Magar Gunaah Ka aadi banna aur is per israar Karna aur Ramzan Jese Mahine mai Gunaah Karna Bahut hi zyada khatarnaak hai , jaha gunaah karane ke liye Shaitaan Ke behkaane ki bhi zarurat na pade Waha'n Shararate Nafs ka Kya haal hoga ? 
 
╨─────────────────────
*┱✿ Ramzan aur Tahajjud _*
┱ _ Ramzan mai Tahajjud padhna Bahut Asaan ho Jata hai Kyunki Tahajjud ke Waqt Sehri Khane ke liye uthte hi hai'n ,Sehri Khane se pehle ya Baad mai ( jab Tak Subeh saadiq na ho ) Jis qadar Mumkin ho sake Nawafil padh liya Kare , is tarah poore Ramazan mai Tahajjud Naseeb ho sakti Hai, Fir aadat pad Jaye to Baad mai bhi Amal Jaari Reh Sakta Hai Varna Kam az Kam Ramzan mai to Tahajjud Ka ahatmaam Kar hi le ,
*┱✿ Roza Aftaar karana _,*
┱_ Farmaya Khatimul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne k Jisne Rozadaar ka Roza khulwaya ya Mujahid ko Samaan de diya to usko Rozadaar aur gaazi Jesa ajr milega , *( Bayhiqi Fi Shoebul imaan An Zaid ibne Khalid Raz.)*
╨─────────────────────
*┱✿ Ramzan Aur Sakhawat_*
┱ _ Ramzanul Mubarak Sakhwat Ka Mahina bhi hai , isme Jis qadar Fi sabilillaah kharch Kiya Jaye Kam hai , Kyunki ye Mahina Akhirat ki Kamaa'i Ka Mahina hai, isme Roza aftaar karane aur Roza kholne Ke Baad Rozadaar ko Pet bhar khana khilane ki bhi Khaas Fazilat waarid Hui Hai , aur is Maah ko Gamkhwari Ka Mahina farmaya hai , Jesa k Khutbe mai Guzar Chula , Gareebo ki imdaad v i'anat is Maah ke kaamo mai ek Aham Kaam hai ,
┱_ Ek Hadees Paak mai irshad farmaya :- Jab Ramzan Ka Mahina aa Jata tha to Hazrat Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam har qaidi ko azaad farma dete they aur har Saa'il ko ata farmate they _,"
* Mishkaat Sharif _,"*
┱_ Ek Hadees Paak mai irshad farmaya :- Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Sab logo se zyada sakhi they aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sakhawat Ramzanul Mubarak mai Tamaam ayyaam se zyada ho jati thi , Ramzan mai har Raat ko Hazrat Jibraiyl Alaihissalam Aap Sallallahu Alaihivasallam se mulaqaat karte they ( aur ) Aap Sallallahu Alaihivasallam unko  Qur'an Sharif sunate they, Jab Aap Sallallahu Alaihivasallam se Jibraiyl Alaihissalam mulaqaat karte they to Aap Sallallahu Alaihivasallam us Hawa se bhi zyada Sakhi ho Jate they Jo Baarish lati hai _,"
* Muttafiq Alayhi _,"*
╨─────────────────────
*┱✿ Sahri Khaana _*
┱ _ Farmaya Nabi Mukarram Sallallahu Alaihivasallam ne k Sehri Khaya Karo , Kyunki Sehri mai Barkat hai _,"  *( Bukhari v Muslim An Anas )*
┱_ Aur ye bhi farmaya k hamare aur Ahle Kitaab ke Rozo mai Sehri Khane Ka Farq hai _," *( Muslim An Amro bin Aas Raz.)*
┱_ Aur Ek Hadees mai Hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Sehri Khane walo per Khuda aur Uske Farishte Rehmat bhejte hai'n _," *( Tabrani An ibne Umar Raz.)*
*┱✿ Roze mai Bhool kar Khaa Pi Lena _,*
┱ _ Farmaya Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne k Jo Shakhs Roze mai Bhool Kar Khaa Pi le to Wo Roza poora Kar le , Kyunki ( uska qusoor nahi ) use Allah ne khilaya aur Pilaya _," *( Bukhari v Muslim An Abi Huraira Raz. )*
*┱✿ Aftaar mai Jaldi Karna _,*
┱ _ Farmaya Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne k - log Hamesha khayr per rahenge Jab Tak Aftaar mai Jaldi karte rahenge Yani guroob aftaab Hote hi foran Roza khol liya Kare _," *( Bukhari v Muslim An Sahal Raz.)*
"┱_Aur farmaya Rehmate Kaaynaat Sallallahu Alaihivasallam ne k Allah Ta'ala farmate hai'n k Bando mai mujhe Sabse Zyada pyaara Wo hai Jo Aftaar mai Sabse Zyada Jaldi karne wala hai , Yani guroob aftaab Hote hi foran aftaar karta Hai aur use isme Jaldi Ka khoob ahatmaam rehta Hai _," *( Tirmizi an Abi Huraira Raz. )*
┱_ Aur Farmaya Sayyadul Konain Sallallahu Alaihivasallam ne k Jab idhar se ( Yani Mashrik se ) Raat aa gayi aur udhar se ( Yani Magrib se ) din Chala gaya to Roza aftaar karne Ka Waqt ho gaya ( aage intezar Karna fizool hai balki makrooh hai ) , *( Muslim An Amro bin Aas Raz. )*
╨─────────────────────
*┱✿ Khajoor aur Paani Se Aftaar_*
┱ _ Farmaya Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne k  jab tum Roza kholne Lago to Khajooro se aftaar Karo , Kyunki Khajoor sarapa Barkat hai , Agar Khajoor na mile to Paani se Roza khol lo , Kyunki wo ( zaahir v Baatin ko ) Paak karne Wala hai _," *( Tirmizi an Salman bin Aamir Raz.)*
*┱✿ Roza Jism Ki Zakkat Hai _,*
┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k farmaya Khatimul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ne k har Cheez ki Zakaat hoti Hai aur Jism ki Zakaat Roza hai _," *( ibne Maaja an Abi Huraira Raz. )*
*┱✿ Sardi mai Roza _,"*
┱_ Hazrat Aamir Bin Masoud Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k farmaya Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne k Mausam Sarma mai Roza rakhna muft Ka Sawab hai , *( Tirmizi )* Muft Ka sawab isliye farmaya k isme Pyaas nahi lagti aur Din bhi Chhota hota Hai ,
╨─────────────────────
*┱✿ Janabat Roze ke Munafi nahi_*
┱ _ Farmaya Ayesha Raziyallahu Anha ne k Ramzanul Mubarak mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko ba Haalate Janabat Subeh ho jati thi aur Ye Janabat Ahatlaam ki nahi ( balki Biviyo'n ke Saath mubashrat karne ki vajah se hoti thi ) Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam Gusl farma Kar Roza rakhte they _," *( Bukhari v Muslim )*
"__ Matlab ye hai k Subeh Saadiq se pehle Gusl nahi farmaya aur Roze ki Niyat kar li ,fir Tulu Aftaab se pehle Gusl farma Kar Namaz padh li , is tarah Roze Ka kuchh hissa Haalate Janabat mai guzra , isliye k Roza bilkul ibtida e Subeh saadiq se Shuru ho jata Hai , isi tarah agar Roze mai Ahatlaam ho Jaye to bhi Roza faasid nahi hota Kyunki Janabat Roza ke munafi nahi hai ,
*┱✿ Roze mai Miswaak Karna _*
┱ _ Farmaya Hazrat Aamir Bin Rabi'a Raziyallahu Anhu ne k Maine Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam ko ba Haalate Roza itni baar Miswaak karte hue dekha hai k Jiska mai Shumaar nahi Kar Sakta _," *( Tirmizi )*
┱_ Miswaak tar ho ya khushk Roze mai har Waqt Kar sakte hai'n , Albatta Manjan ,Tooth Powder , Toothpaste ya Koyla vagera se Roze mai Daant Saaf Karna makrooh hai ,
*┱✿ Roze mai Surma Lagana _,"*
┱_ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Ek Shakhs ne arz Kiya Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Meri Aankh mai Takleef hai ,Kya Mai'n Roze mai Surma laga Lu ? Farmaya - Laga lo _,"  *( Tirmizi )*
╨─────────────────────
*┱✿ Ramzan Ke Aakhri Ashre mai ibaadat Ka Khaas Ahatmaam Kiya Jaye _,*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Rivayat farmati hai'n k Jab Ramzan Ka Aakhri Ashra aata Tha to Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Apne Tehband ko Mazboot baandh lete they aur Raat bhar ibaadat karte they aur Apne Ghar walo ko (bhi ibaadat Ke Liye ) jagaate they _,"
* Mishkaat Sharif-182 Az Bukhari v Muslim,*
┱_  Ek Hadees mai Hai k Mehboob Rabbul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke Aakhri Das Dino ke andar Jitni Mehnat se ibaadat karte they Iske alawa doosre ayyaam mai itni Mehnat na karte they , *( Muslim An Ayesha Raz.)*
┱_ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne ye Jo farmaya k RamZan ke Aakhri Ashre mai Aap Tehband kas lete they, Ulma ne iske do Matlab bataye hai'n,ek ye k Khoob Mehnat aur koshish se ibaadat karte they aur Raato Raat jaagte they, Ye Esa hi hai Jese muhawre mai Mehnat ke Kaam ke liye bola Jata hai k " Khoob kamar kas lo " aur Doosra Matlab Tehband kas Kar baandhne Ka ye bataya k Raat ko Biviyo'n ke paas letne se door rehte they, Kyunki Saari Raat ibaadat mai guzar jati thi aur Aitkaaf bhi hota Tha , isliye Ramzan ke Aakhri Ashre mai Miya'n Bivi wale Khaas Talluq Ka moqa nahi lagta tha ,
┱ _Hadees ke Aakhir mai farmaya k RamZan ke Aakhir Ashre mai Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam khud bhi bahut Mehnat aur koshish se ibaadat karte they aur Ghar walo ko bhi is maqsad ke liye jagate they, Baat ye hai k Jise Akhirat Ka Khayal ho ,Maut ke Baad ke Halaat Ka Yaqeen ho ,Ajro sawab ke lene Ka lalach ho wo Kyu na Mehnat aur koshish se ibaadat mai lagega ,fir Jo Apne liye pasand Kare Wahi Ahlo Ayaal ke liye bhi pasand Karna chahiye ,
┱ _Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Raato ko Namazo ke andar itna Qiyaam farmate they k qadmo Mubarak per Varam aa Jata tha , Fir Ramzan ke andar Khususan Akhir Ashre mai to aur zyada ibaadat badha dete they Kyunki ye Mahina aur Khaas Kar Akhir Ashr Aakhirat ki kamayi Ka Khaas moqa hai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ki koshish hoti thi k Ghar wale bhi ibaadat mai lage rahe , Lihaza Unko bhi jagate they ,
           ✰══❖══✰═══❖══✰
*┱✿ Kin logo ko Roza Ramzan Chhod Kar Baad mai Rakhne Ki ijazat Hai_*
┱ _ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Allah Ta'ala ne Musafir ke liye Namaz Ka ek hissa maaf farma diya hai aur Ramzan ke Roze na rakhne ki bhi Musafir ko ijazat di hai , aur isi tarah doodh pilane wali Aurat aur Hamal wali Aurat ki ijazat hai k Roza na rakhe ( aur Baad mai Qaza Kar le ) _,"
* Mishkaat Sharif -1/ 178 Baab Saum Al-Musafir ,*
╨─────────────────────
*┱✿ Mareez  Ka Hukm _*
┱ _ Ramzan Ka ek Roza Chhod dena bhi Bahut bada gunaah hai, aur Jo Farz Roza Chhodne Ka murtkab ho Wo Faasiq hai ,Albatta esa Shakhs Jo mareez ho k Roza rakhne se uski Jaan per ban aane Ka qavi Andesha ho ya Sakht marz mai mubtila ho aur Roze ki vajah se marz ke tool pakad Jane Ka gaalib Gumaan ho uske liye Jaa'iz hai k RamZan ke Roze Ramzan mai na rakhe aur Jab Achchha ho Jaye Qaza rakh le ,
┱_ Ye koi esa Masla nahi Hai Jisko Aam Tor per log nahi Jaante ho , Lekin isme Bahut si galtiya'n hoti hai'n -
*"__1__ Avval ye k mamooli mamooli marz mai Roza Chhod dete hai'n ,
*" 2_Dom ye k Faasiq aur Be-deen Balki Bad Deen Doctoro ko Roze ki na qeemat maloom hai na Shara'i Masle ki Sahi Soorat Ka ilm hai , ese logo ke qaul Ka koi aitbaar nahi hai ,isliye Mareez ko kisi ese Doctor se Mashwara Lena chahiye Jo Musalman ho aur Khofe Khuda rakhta ho aur Jo Shari'at ke Masle se waaqif ho ,
*"3_ Som ye kotaahi Aam hai k Bimaari ki vajah se Roza Chhod dete hai'n aur fir rakhte hi nahi aur Bahut badi gunahgaari Ka bojh le Kar Qabr mai chale Jate hai'n, ( Allah hifazat Kare )
╨─────────────────────
*┱✿ Musafir Ka Hukm _*
┱ _ Musafir Jo musafate Qasar ke iraade se Apne Shehar ya Basti se nikla Jab Tak Safar mai rahega Mard ho ya Aurat Chaar raka'ato wali Namazo ki jagah do raka'ate farz padhega , Haa'n agar kisi imaam ke pichhe (Jo Musafir na ho) Jama'at mai Shareek ho Jaye to Poori namaz padhni hogi , Musafate Qasr 48 meel ( 77.24 Kilometers ) hai , itni door Ka iraada Kar ke nikalne Wala Shara'i Musafir hai , Shari'at ne Namaze Qasr ki buniyad musafate Qasar per rakhi hai Agarche takleef na ho tab bhi 48 meel Ka Musafir 4 Raka'at wale Farz ki jagah 2 Raka'at padhega , agar 4 Raka'at Padh li to bura Kiya ,
*┱_ Masla _,* _ Jis Musafir ke liye 4 Raka'at wali Farz Namaz ki jagah 2 Raka'at padhna zaroori hai Uske liye ye bhi Jaa'iz hai k RamZan Mubarak ke moqe per Safar mai ho to Roza na rakhe aur Baad mai Ghar mai aa kar chhode hue Rozo ki Qaza kar le , Chahe Hawaii Jahaaz ya Motor ya Paidal Safar kiya ho aur Chahe Koi takleef Mehsoos na hoti ho ,agar kisi jagah 15 Din theharne ki Niyat Kar lega to Musafir na hoga , 
┱_ Ye Baat qabile Zikr hai k Bahut se log Jis tarah marz ki haalat mai Roza chhot Jane per Baad mai Qaza nahi rakhte Usi Tarah log Safar mai Roza Chhod Kar Baad mai Ghar aa Kar Qaza nahi rakhte aur gunahgaar marte hai'n , Agar zyada takleef na ho to Musafir ko Ramzan hi mai Roza rakh Lena zyada behtar aur Afzal hai , Vajah iski ye hai k Avval to Ramzan ki Barkat aur nooraniyat se mehroomi na hogi ,doosre Sab Musalmano ke Saath mil Kar Roza rakhne mai Asaani bhi hogi aur Baad mai Tanha Roza rakhna nushkil hoga ,
*┱ _ Masla _,*  _ 48 meel se Kam Safar mai Roza Chhod dena Durust nahi ,
╨─────────────────────
*┱✿ Doodh Pilane Wali Aurat Aur Haamla Ka Hukm_*
┱ _ Jis tarah Mareez aur Musafir ko Ramzan mai Roza chhodne ki ijazat hai ( Jiski sharte'n Pehli guzar chuki ) Usi Tarah Doodh Pilane Wali Aurat ke liye bhi Jaa'iz hai k RamZan mai Roza na rakhe aur Baad mai Qaza Kar le , Basharte k Roza rakhne se Bachche ko Doodh na Milne ki vajah se Giza se mehroomi hoti ho ,
┱_ Agar Bachcha Maa'n Ke Doodh ke alawa Doosri Cheez ke zariye guzara Kar Sakta ho Maslan ouper Ka Doodh pine se ya Daliya chawal vagera Khane se Bachche ki Giza Ka Kaam chal Sakta Hai to Doodh Pilane Wali Aurat ko Roza chhodna Haraam Hai , Aur ye Masla bhi Bachche ki Umar Do saal hone Tak hai ,Jab Bachche ki Umar Do saal ho Jaye to usko Aurat Ka Doodh Pilana hi mana hai , isme Roza Chhodne Ka Sawal hi paida nahi hota ,
*┱_ Masla _,* _ Doodh Pilane wali ko Sharte Mazkoora ke Saath Ramzan Ka Roza na rakhna is Soorat mai Jaa'iz hai Jabki Bachche Ka Baap Doosri Aurat ko mu'awza de Kar doodh pilane se Aajiz ho ya Wo Bachcha Maa'n Ke Alawa kisi Doosri Aurat Ka Doodh Leta hi na ho _,"
*┱ _ Haamla _,* _ Jo Aurat Hamal se ho usko bhi Ramzanul Mubarak mai Roza chhodne ki ijazat hai, faarig hone ke baad chhode hue Roze rakh le , Magar Shart Wahi hai k Roza rakhne se Bahut zyada takleef mai Padne ya Apne Bachche ki Jaan Ka Andesha ho ,
╨─────────────────────
*┱✿ Fidya Dene Ka Hukm _*
┱ _ Wo Aurat ya Mard Jo mustaqil esa mareez ho k Roza rakhne se Jaan per ban aane Ka Shadeed khatra ho aur Zindgi mai Achchhe hone ki Ummeed hi na ho ,
┱_ Ya wo Mard ya Aurat Jo Bahut zyada Budhe ho Roza rakh hi nahi Sakte aur Roze per qaadir hone ki koi Ummeed nahi ye log Roze ke bajaye Fidya de Lekin Baad mai Kabhi Roza rakhne ke qabil ho gaye to guzishta Rozo ki Qaza karni hogi aur Aa'inda Roze rakhne honge Aur Jo Fidya diya hai Sadqa mai shumaar hoga ,
*┱_ Masla _,* _ Har Roze Ka Fidya ye hai k Ek Ser Saade Barah Chhataank Gainhu ya uski qeemat kisi miskeen ko de de ya Fi Roza ek miskeen ko Subeh Shaam pet bhar Kar khaana khila de'n ,
╨─────────────────────
*┱✿ Haiz Wali Aurat Baad mai Roze ki Qaza Kare_*
┱ _ Hazrat Ma'aza Raziyallahu Anha farmati hai'n k Mai'ne Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Sawal Kiya k ye Kya Baat hai k ( Ramzan ke Mahine mai ) Kisi Aurat ko Haiz aa Jaye to ( un dino ke ) Rozo ki Qaza rakhti hai'n aur ( Umuman har Mahine Haiz aata rehta Hai, Ramzan ho ya gair Ramzan un dino ki ) Namazo ki Qaza nahi padhti , ( ye Namaz aur Roze mai Farq Kyu hai ? )
Ye sun Kar Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne farmaya- Kya Tu nechri ho gayi hai ? ( Jo Ahkaame Shariyat mai taang adaati hai )
Maine kaha - Mai'n nechri nahi hu'n ,Sirf maloom Kar rahi hu'n ,
Is per Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne jawab diya k Hum itni Baat Jaante hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki mojoodgi mai Humko Haiz aata Tha to Namazo ki Qaza Ka Hukm na Diya Jata tha aur Rozo ki Qaza Ka Hukm hota Tha ,_"
* Muslim Shareef - 1/ 153 _,*
┱_ Hazrat Ma'aza Raziyallahu Anha ek Taba'i Aurat thi , Badi Aalima Faazila thi , Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ki khusoosi Shagirdi Ka sharf haasil tha , Unhone Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Mazkoora Bala Sawal Kiya to farmaya k Kya Tu Deen mai Apni Aqal Ka dakhal de rahi hai ? Ye to un logo Ka Tareeqa hai Jo Haroora Basti mai rehte hai'n ( Haroora ek Gaanv tha ,ye log Deen aur Shariyat ko Apni Aqal ke Maiyaar se jaanchne ki koshish karte they aur Apni samajh ke tarazu mai tolte they )
┱_ Bahut se log Deen ko Apni Aqal ki Kasoti per Parakhna chahte hai'n aur Samajh mai nahi aata to munkir Hote hai'n ya Aitraaz karte hai'n , Ese log hamare Aslaaf ki Zubaan mai Nechri kehlate hai'n Kyunki Apne Nature ki Naturipan mai lagane ki napaak koshish karte hai'n, Dar Haqeeqat ye Ek Bahut bada rog hai Jo Dil mai Haqeeqi imaan raasikh nahi hone deta ,
╨─────────────────────
*┱✿ Agar Rozedaar Ke Paas Koi Khaane lage to Rozedaar Ke liye Farishte Dua Karte hai'n_*
┱ _ Hazrat Umme Ammara bint Ka'ab Raziyallahu Anha ne Bayan farmaya k Aap Sallallahu Alaihivasallam mere paas tashreef laye, Maine Aap Sallallahu Alaihivasallam ke liye khaana mangaya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k tum ( bhi ) Khaao ,
Maine arz Kiya- Mai'n Roze se hu'n ,
Ye sun Kar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- bila shubha Jab Rozedaar Ke Paas Khaya Jaye to uske liye Farishte magfirat ki Dua Karte rehte hai'n jab Tak k Khaane wale faarig ho _,"
* Mishkaatul Masabeh--181 Ba hawala Ahmad v Tirmizi,*
┱_ Roza Sabr Ka Naam hai ,Insaan jab Roze ki Niyat Kar leta Hai to ye Tay Kar leta Hai k Suraj chhipne Tak koi Cheez nahi khaunga ,fir jab Rozedaar Ke saamne koi Shakhs Khaane lage to Rozedaar ko Sabr ki mazeed Fazilat badh jati hai Kyunki doosre ko khaata dekh Kar Jo Nafs mai khusoosi taqaza paida hota Hai usko dabaata hai aur Roza poora kiye bager kuchh nahi khata pita hai , iske is khusoosi Sabr ki vajah se ye khusoosi Fazilat di gayi hai k Khaane Wala jab Tak uske paas khata rehta Hai Uske Liye Farishte Bakhshish ki Dua Karte rehte hai'n ,
╨─────────────────────
*┱✿ Shabe Qadr Aur Uski Dua  _*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Mai'ne arz Kiya- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Irshad farmaiye k agar mujhe pata chal Jaye k Fala Raat ko Shabe Qadr hai to Mai'n Kya Dua karu'n ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Ye Dua Karo -
*""اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي_,*
*Allahumma innaka Afuwwu Tuhibbul Afwa Fa’afu Anni ,*
( Ey Allah ! Aap bahut maaf farmane wale hai’n isliye mujhe bakhsh dijiye ),”
* Mishkaat Sharif-182 Az Ahmad v ibne Maaja v Tirmizi ,*
┱_ Dekhiye kesi Dua irshad farmayi ,na zar maangne ko bataya na Zameen,na dhan na Daulat,Kya maanga Jaye ? Maafi  ! Baat Asal ye hai k Aakhirat Ka Maamla Sabse Zyada mushkil hai , Waha'n Allah ke maaf farmane se Kaam chalega ,agar maafi na Hui aur Khuda na khwasta azaab mai girftaar hue to Duniya ki har Ni'amat aur lazzat aur Daulat v Sarwat bekaar hogi ,Asal Cheez Magfirat hai ,
┱_ Ek Hadees mai irshad farmaya-
"__Jo Shakhs Laylatul Qadr mai imaan ke Saath aur Sawab ki Niyat se ( ibaadat Ke Liye ) khada raha Uske Pichhle Tamaam Gunaah Maaf Kar diye jayenge _," *( Bukhari v Muslim )*
╨─────────────────────
*┱✿ Shabe Qadr Ki Fazilat_*
┱ _ Ramzanul Mubarak Ka poora Mahina Akhirat ki Daulat kamane Ka hai fir is Maah mai Aakhiri Ashra aur bhi zyada Mehnat aur koshish se ibaadat mai lagne Ka hai , is Ashre mai Shabe Qadr hoti Hai Jo badi ba Barkat Raat hai ,
┱_ Allah Ta'ala Ka irahad hai - Shabe Qadr Hazaar mahino se Behtar hai _," _ Hazraar Mahine ke 83 Saal aur 4 Mahine Hote hai'n, Fir Shabe Qadr ko Hazaar Mahine ke barabar nahi bataya balki Hazaar Mahine se behtar bataya , Momin Bande ke liye Shabe Qadr Bahut hi Khayro Barkat ki Cheez hai ,Ek Raat jaag kar ibaadat kar le aur Hazaar Mahino se zyada ibaadat Ka sawab pa le ,isse badh Kar aur Kya chahiye ? Isliye to Hadees Sharif mai farmaya -
"_ Jo Shakhs Shabe Qadr se mehroom ho gaya ( Goya ) poori bhala'i se mehroom ho gaya , aur Shabe Qadr ki Khayr se Wahi mehroom hota Hai Jo Kaamil mehroom ho _," *( ibne Maaja )*
┱_ Matlab ye hai k Chand ghante ki Raat hoti hai aur isme ibaadat kar lene se Hazaar Mahine se zyada ibaadat Ka sawab milta hai , Chand ghante Nafs ko samjha bujha Kar ibaadat Kar Lena Koi Esi takleef nahi Jo bardasht se bahar ho , takleef Zara si aur sawab Bahut bada ,
┱ _Pehli Ummato ki Umar zyada hoti thi ,is Ummat ki Umar Bahut se Bahut 70-80 saal hoti Hai , Allah Ta'ala ne ye ahsaan farmaya k Hume Shabe Qadr ata farma di aur Ek Shabe Qadr ki ibaadat Ka darja Hazaar mahino ki ibaadat se zyada Kar diya , Mehnat Kam Hui ,Waqt bhi Kam laga aur Badi Badi Umar Wali Ummato se badh Gaye , Allah Ta'ala Ka Fazal v inaam hai k is Ummat ko Sabse Zyada nawaza , Ab ye kesi nadaani hogi k Allah ki nawazish ho aur hum gaflat mai pade sote rahe , Ramzan Ka Koi lamha Zaaya na hone do , Khususan Akhir Ashre mai ibaadat Ka Khaas Ahatmaam Karo , aur usme bhi Shabe Qadr mai jaagne ki Bahut zyada fikr Karo , Bachcho ko bhi targeeb do ,
╨─────────────────────
*┱✿ Shabe Qadr Ki Tareekhe_*
┱ _ Shabe Qadr ke bare mai Hadeeso mai Waarid hua hai k RamZan ke Aakhri Ashre ki Taaq Raato mai talash Karo , Lihaza Ramzan ki 21- 23-25-27-29 vi Raat ko Jaagne aur ibaadat karne Ka Khaas Ahatmaam Kare , Khususan 27 vi Shab ko to zaroor Jaage , Kyunki is Din Shabe Qadr hone ki zyada Ummeed hoti Hai ,
┱_  Hazrat Ubaada Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ek Din isliye Baahar tashreef laye k Hume Shabe Qadr ki ittela farma de'n ,Magar Do Musalmano mai Jhagda ho raha tha , Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Mai'n isliye aaya tha k Tumhe Shabe Qadr ki ittela du'n , Magar fala Fala Shakhso mai Jhagda ho raha tha Jiski vajah se iski Taiyn mere zahan se utha li gayi , Kya Baiyd hai k ye utha Lena Allah ke ilm mai behtar ho _," *( Bukhari )*
┱_ Is Mubarak Hadees se maloom hua k Aapas Ka Jhagda is qadar bura Amal hai k iski vajah se Allah Ta'ala ne Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke Qalbe Mubarak se Shabe Qadr ki Taiyn utha li , Yani Kis Raat ko Shabe Qadr hai Makhsoos Kar ke iska ilm Jo de diya gaya Tha , Wo Qalb se utha liya gaya , Agarche Baaz vajaho se isme bhi Ummat Ka Faayda ho gaya , Jesa k in Sha Allah Ta'ala hum abhi zikr karenge Lekin Sabab Aapas Ka jhagda ban gaya Jisse Aapas mai jhagde ki mazammat Ka pata Chala ,
╨─────────────────────
*┱✿ Shabe Qadr ki Taiyn na karne mai Masaleh _*
┱ _ Ulma Kiraam ne Shabe Qadr ko Poshida rakhne Yani muqarrar Kar ke yu'n na batane ke bare mai Fala Raat ko Shabe Qadr hai Chand Maslihate batayi hai'n :-
1_ Avval ye k agar Taiyn baqi rehti to Bahut se Kotahi Tabiyat wale Doosri Raato Ka ahatmaam bilkul tark kar dete aur Taiyn na hone ki Soorat mai is ahatmaal per k Shayad Aaj hi Shabe Qadr ho Sabhi Raato mai ibaadat ki tofeeq ho jati hai ,
2_ Doosri ye k Bahut se log ese hai'n Jo Gunaaho Ke bager nahi rehte , Taiyn ki Soorat mai agar bavjood maloom hone ke Gunaaho ki jurrat ki jati to ye Baat Bahut Sakht andeshanaak hoti ,
3_ Teesre ye k Taiyn ki Soorat mai agar kisi Shakhs se wo Raat chhoot jati to Aa'inda Raato mai Afsos ki vajah se fir kisi Raat Ka jaagna bashashat ke Saath Naseeb na hota aur ab bashashat ke Saath Ramzan ki Chand Raato ki ibaadat Shabe Qadr ki talash mai Naseeb ho jati hai ,
4__ Chothi ye k Jitni Raate Talab mai Kharch hoti hai'n sabka sawab mustaqil sawab Alhaida milta hai ,
5__ Paanchva ye k RamZan ki ibaadat mai Haq Ta'ala Shanhu Malayka per tafakhur karte farmate hai'n , is Raat mai tafakhur Ka moqa zyada hai k bavjood maloom na hone k Mahaz ahatmaal per Raat Raat bhar jaagte hai'n aur ibaadat mai mashgool rehte hai'n ,
"_ Aur inke alawa aur bhi Maslihate ho sakti hai'n, Mumkin hai jhagde ki vajah se Taiyn bhula di gayi ho aur Uske baad Mazkoora Masaleh ya digar Masaleh ki vahah se Hamesha Ke Liye Taiyn Chhod di gayi ho , Wallahu A'alam ,
╨─────────────────────
*┱✿ Ramzan ke Aakhri Ashre mai Aitkaaf _*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha Rivayat farmati hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ramzan ke Aakhri Ashre mai Aitkaaf farmate they, Wafaat hone Tak Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka ye mamool raha , Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Biviya'n Aitkaaf karti thi _,",
* Mishkaat Sharif- 183 Az Bukhari v Muslim,*
┱_  Ramzanul Mubarak ki har Ghadi aur minute v second ko ganeemat jaanna chahiye ,Jitna Mumkin ho is Maah mai nek Kaam Kar lo aur Sawab loot lo ,fir Ramzan mai bhi Aakhri Das din ki ahmiyat Bahut zyada hai ,
┱_ Ramzan ke Aakhri Das din ( Ashra Akhira kehlate hai'n ) Unme Aitkaaf bhi Kiya Jata hai , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam har saal inme Aitkaaf farmate they aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Biviya'n bhi Aitkaaf karti thi , Aap Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat ke Baad bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Biviyo'n ne Aitkaaf Ka ahatmaam Kiya ,
┱ _Aitkaaf mai Bahut bada faayda hai, isme insaan yaksu ho Kar Apne Allah se lo lagaye rehta Hai aur Chunki Ramzan ki Aakhri Das raato mai koi na koi Raat shabe qadar bhi hoti Hai, isliye Aitkaaf karne wale ko Umuman Wo bhi Naseeb ho jati hai ,
┱ _Mard Esi Masjid mai Aitkaaf Kare Jisme Paancho waqt Jama'at se namaze hoti ho ,Aur Aurte'n Apne Ghar ki Masjid mai Aitkaaf Kare , Apne Ghar mai Jo jagah Namaz ke liye muqarrar Kar rakhi ho Unke liye Wahi Masjid hai , Aurte'n isme Aitkaaf Kare ,
╨─────────────────────
*┱✿ Aitkaaf - Chand Masa'il_*
┱ _ Ramzan ki Beesvi Tareekh Ka Suraj chhipne se pehle Aitkaaf ki jagah mai dakhil ho Jaye aur Eid Ka Chaand Nazar aane Tak Aitkaaf ki Niyat se Aurte'n ghar ki Masjid mai aur Mard Panj Waqta Namaze Ba Jama'at wali Masjid mai Jam Kar rahe , isko Aitkaaf kehte hai'n , Jam Kar rehne Ka Matlab ye hai k Eid Ka Chaand Nazar aane Tak Masjid hi ki had mai rahe ,Wahi Soye ,Wahi khaye , Qur'an Padhe ,Nifle padhe , Tasbeeh mai mashgool rahe , Jaha'n Tak Mumkin ho Raato ko Jaage aur ibaadat Kare ,Khaas Kar Jin Raato mai Shabe Qadr ki Ummeed ho ,un Raato mai Shab Bedaari Ka Khaas Ahatmaam Kare ,
*┱_ Masla _,* _ Aitkaaf mai Miya'n Bivi ke Khaas Talluqaat wale Kaam Jaa'iz nahi hai , na Raat mai na Din mai , Aur peshaab pakhana ke liye Aitkaaf ki jagah se nikalna durust hai ,
*┱_ Masla_* _ Ye Mash'hoor hai k Jo Aitkaaf mai ho Wo kisi se na bole chale ye Galat hai , balki Aitkaaf mai bolna chaalna Achchhi Baat Karna ,kisi ko nek Baat Bata Dena aur Buraa'i Se rok dena ,Baal Bachcho Naukar Naukraniyo ko Ghar Ka Kaam kaaj Bata dena ye Sab Durust hai , aur Aurat ke liye isme Asaani bhi hai k Apne Ghar ki Masjid mai Aitkaaf ki Niyat se bethi rahe aur Wahi se bethe bethe Ghar Ka Kaam kaaj bhi batati rahe ,
*┱ _Masla _,* _ Agar Aitkaaf mai Aurat ko Maahwaari Shuru ho Jaye to uska Aitkaaf Wahi khatm ho gaya , Ramzan ke Aakhri Ashre ke Aitkaaf mai agar esa ho Jaye to ( Apne ilaaqe ke Ulma Kiraam se Masla maloom karwa Kar ) Qaza kar le ,
┱ _Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad Hai k Aitkaaf Moatkif ko Gunaaho se rokta hai aur Uske Liye  un Sab Nekiyo'n Ka sawab ( bhi ) Jaari rehta Hai ( Jinhe Aitkaaf ki vajah se nahi Kar Sakta ) , *( Mishkaatul Masabeh-)*
╨─────────────────────
*┱✿ Aakhri Raat Mai Bakhshish_*
┱ _ Jis Din Subeh ko Eid Ya Bakra Eid ho us Raat ko bhi zikr ibaadat aur Nifl Namaz se zinda rakhne ki Fazilat aayi hai , Hadees Shareef mai hai k Jisne dono Eido'n ki Raato ko ibaadat ke zariye zinda Kiya ,us Din uska Dil Murda na hoga Jis Din Dil Murda honge ( Yani Qayamat ke Din ) _," *( Targeeb v Tarheeb )*
┱_ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k - Ramzan ki Aakhri Raat Mai Ummate Muhammadiya Sallallahu Alaihivasallam ki Magfirat Kar di jati hai ,
Arz Kiya gaya - Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Kya isse Shabe Qadr muraad hai ?
Farmaya- nahi ! ( Ye Fazilat Aakhri Raat ki hai ,Shabe Qadr ki Fazilat iske alawa hai ) Baat ye hai k Amal karne wale Ka Ajr us Waqt poora de Diya Jata Hai ,Jab Kaam poora Kar deta Hai , Aur Aakhri Shab mai Amal poora ho jata Hai, Lihaza Bakhshish ho jati hai , *( Mishkaat )*
╨─────────────────────
               *┱✿ Eid Ka Din_*
┱ _ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - .
"__ Jab Shabe Qadr hoti hai to Jibraiyl Alaihissalam Farishto ki ek Jama'at ke Saath Naazil Hote hai'n Jo har us Bande ke liye Khuda Ta'ala se Rehmat ki Dua Karte hai'n Jo khade bethe Allah ka zikr Kar raha ho , Fir jab Eid Ka Din hota Hai to Allah Ta'ala Farishto ke saamne Fakhr se farmate hai'n ( k dekho in logo ne ek Maah ke Roze rakhe ,aur Hukm maana ) aur farmate hai'n k - Ey mere Farishto ! Bataao us mazdoor ki Kya jaza hai Jisne Amal poora Kar diya ho ?
Wo arz karte hai'n k - Ey hamare Rab uski jaza  ye hai k uska badla poora poora de diya Jaye ,
Allah Ta'ala farmate hai'n k - Ey mere Farishto ! Mere Bando aur Bandiyo'n ne Mera fariza poora kar diya Jo un per Laazim tha aur Ab Dua mai gidgidane ke liye nikle hai'n , Qasam hai mere izzat v Jalaal aur Karam ki Mai'n zaroor Unki Dua qubool karunga ,
Fir ( Bando ko ) irshad Baari Ta'ala hota Hai k Maine tumko Bakhsh diya aur tumhari buraiyo'n ko Nekiyo'n se badal diya , Lihaza iske baad ( Eidgaah se ) Bakhshe Bakhshaye waapas Hote hai'n ,
* Bayhiqi Fi Shoebul imaan ,*
┱_  Eid ke Din Roza rakhna Haraam Hai, Aaj ke Din Roza na rakhna ibaadat hai ,
*┱_  Sadqatul Fitr _,* _'Eid ke Din Sadqatul Fitr Ada Kare Jo Sahibe nisaab per Waajib Hai, Hadees Paak mai hai k Sadqatul Fitr Rozo ko lagv aur gandi Baato se Paak karne ke liye hai aur miskeeno ki Rozi ke liye muqarrar Kiya gaya hai , *( Abu Daowd )*
╨─────────────────────
*┱✿ Nifli Rozo Ka Sawab Aur Shohar Ki ijazat Ke Bager Nifli Roze na rakhe_*
┱ _ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Aurat Ke Liye ye Halaal nahi hai k ( Nifl ) Roze rakhe Jabki uska Shohar Ghar per ho , Haa'n uski ijazat se rakh sakti Hai aur Aurat ke liye Jaa'iz nahi hai k kisi ko Ghar mai aane ki ijazat de , Haa'n agar Shohar kisi ke bare mai ijazat de to Aurat bhi ijazat de sakti Hai ( Kyunki Musalman Shohar Jiske aane ki ijazat dega Wo Aurat Ka Mehram hoga ) _,"
* Mishkaat Sharif-178 Ba hawala Muslim,*
┱_ Deene islam Kaamil aur Mukammal Deen hai , Usme dono tarah ke huqooq Yani Huqooqullaah aur Huqooqul ibaad ki ri'ayat rakhi gayi hai, Jis tarah Huqooqullaah ki Adaygi ibaadat hai Usi Tarah Huqooqul ibaad Ka Ada Karna bhi ibaadat hai ,
┱_ Hadees Paak mai Huqooqul ibaad ki nigahdasht karne ki Hidayat farmayi hai, Shohar aur Bivi ke ek doosre per Huqooq hai'n aur Aapas mai ek esa Talluq hai Jo Roze mai nahi hota , Agar koi Aurat ( Nifli ) Roze per Roze rakhti chali Jaye aur Shohar ke Khaas talluq Ka Khayal na rakhe to gunahgaar hogi ,Shohar ko Khush rakhna aur Uske Huqooq Ka dhyan rakhna bhi ibaadat hai ,
┱ _Aurto'n ke liye Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Tambeeh farmayi k kisi Aurat ke liye ye Halaal nahi hai k Shohar Ghar per mojood ho to uski ijazat Ke bager Nifli Roze rakhe ,Shohar agar ijazat de to to Nifli Roze rakhe Albatta Rozana Roza rakhna fir bhi Mana hai ,
*_ Tambeeh_,* _  Farz Namaz aur Farz Roze ki Adaygi mai Shohar ki ijazat ki Hargiz zarurat nahi hai ,Wo ijazat na de tab bhi unki Adaygi Farz hai agar isse rokega to Sakht gunahgaar hoga , isi tarah Ramzan ke Jo Roze Maahwaari ki majboori ki vajah se Reh Gaye to Unki Qaza rakhna bhi Farz hai ,Agar Shohar roke tab bhi Qaza rakh le ,Agar Wo rokega to Sakht gunahgaar hoga ,
╨─────────────────────
*┱✿ Rozana Nifli Roze rakhne ki Muma'anat_*
┱ _ Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jisne Rozana ( Nifl ) Roza rakha usne na Roza rakha na be Roza raha , *( Muslim Shareef )*
"_ Matlab ye hai k Rozana Roza rakhne se Nafs ko aadat ho jati hai, Aadat ho Jane se mashakkat nahi hoti ,Jab mashakkat nahi Hui to Roze Ka maqsad khatm ho gaya ,Ab Yu'n kaha jayega k Khaane pine ke awqaat badal diye. Is Soorat mai ibaadat ki Shaan baqi na rahi ,agar kisi se ho sake to ek din Roza rakhe aur Ek din be Roza rahe , Ye bahut Fazilat ki Baat hai lekin Shart Wahi hai k Shohar ki ijazat ho aur is qadar be Taaqat na ho Jaye k Doosri ibaadaat aur Adaygi e Huqooq mai Farq aa Jaye ,
┱_ Hazrat Abdullah bin Amr bin Aas Raziyallahu Anhu bade darje ke Sahabi they ,Ye Rozana Roza rakhte they aur Raato Raat Nifl padhte they , Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ko maloom hua to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k esa na Karo balki Roza bhi rakho aur be Roza bhi raha Karo , Raato mai Nifl Namaz mai bhi khade Raha Karo aur soya bhi Karo Kyunki Tumhare jism Ka bhi Tum per Haq hai aur Tumhari Aankh Ka bhi tum per Haq hai aur Tumhari Bivi Ka bhi tum per Haq hai aur jo log Tumhare paas aaye unka bhi tum per Haq hai , *( Bukhari v Muslim )*
┱_ Isse maloom hua k ibaadat Ka Kamaal ye hai k Apne Badan aur A'aza e Jism aur Bivi Bachcho aur Mehmano ke huqooq ki nigahdasht karte hue Nifl ibaadat ki Jaye , Khulasa ye hai k Shari'at ki Hudood mai Nafs v Shaitaan Ke Fareb se bachte hue Nifl Namaze padho aur Nifl Roze rakho , Tilawat bhi Karo ,zikr bhi Karo aur kisi Makhlooq Ka haq Waajib bhi Zaaya na hone do ,
╨─────────────────────
*┱✿ Peer Aur Jumeraat Aur Chaand Ki 13-14-15 Tareekh ke Roze_*
┱ _ Ramzanul Mubarak ke Rozo ke alawa doosre Mahino mai bhi Roze rakhna chahiye ,Roza Bahut badi ibaadat hai aur iska Bahut bada sawab hai , Eid ke Mahine ke 6 Roze ,Peer Jumeraat ko Nifli Roze rakhne ki bhi badi Fazilat aayi hai ,
┱_ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Peer aur Jumeraat ko Baargaahe Khudawandi mai A'amaal pesh kiye jate hai'n ,Lihaza Mai'n chahta hu'n k Mera Amal is Haal mai pesh Kiya Jaye k Mai'n Roze se hu'n _," *( Tirmizi Shareef )*
┱_ Chaand ki 13-14-15 Tareekh ko Roze rakhne ki bhi badi Fazilat waarid Hui Hai , Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne in dino ke Roze rakhne ki targeeb di hai ,
*┱ _ Baqra Eid Ki Navi ( 9 vi ) Tareekh Ka Roza _,* _ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Mai'n Allah se pukhta Ummeed rakhta hu'n k Baqra Eid ki Novi Tareekh Ka Roza rakhne ki vajah se Allah Ta'ala ek ek saal pehle aur Ek saal Baad ke Gunaaho Ka kaffaara farma denge _,"
*┱ _Aashura Ka Roza _,*_ Aur Yaume Aashura ( Yani muharram ki 10 Tareekh ) ke bare mai Allah se pukhta Ummeed rakhta hu'n k iske rakhne ki vajah se ek saal pehle ke Gunaaho Ka kaffaara farma denge _, *( Mishkaat )*
"__ in Rozo ke alawa aur Jis qadar Nifl Roze koi Shakhs Mard ho ya Aurat rakh lega uske Haq mai Achchha hoga , Qayamat ke Din Nawafil ke zariye Fara'iz ki kami poori ki jayegi , isliye is ibaadat se gaafil na ho Lekin do baate Yaad rakhni chahiye Avval ye k is ibaadat ki vajah se kisi ki Haq talfi na ho Maslan Bivi Bachcho Ka Khayal na rahe , Kamzori ki vajah se Kama na sake vagera , Ya doosre Huqooq mai kotahi hone lage Maslan koi Aurat Roze rakhne ki vajah se Shohar aur Bachcho ke Huqooq Zaaya na Kare ,
╨─────────────────────
*┱✿ Eid Ke Mahine mai 6 Roze rakhne ki Fazilat _*
┱ _ Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu se Rivayat Hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jisne Ramzan ke Roze rakhe aur Uske baad 6 ( Nifl ) Roze Shawwal ( Yani Eid ) ke Mahine mai rakh le to ( Poore saal ke Roze rakhne Ka sawab hoga ,agar Hamesha esa hi Karega to ) Goya usne Saari Umar Roze rakhe _,"
* Muslim, Mishkaat Sharif -179 _,*
┱_ Is Mubarak Hadees mai Ramzanul Mubarak guzarne ke Baad Maahe Shawwal mai 6 Nifli Roze rakhne ki targeeb di gayi hai aur iska Azeem sawab bataya gaya hai, Sawab dene ke bare mai Allah Ta'ala ne ye meharbani farmayi hai k har Amal Ka sawab Kam az Kam das guna muqarrar farmaya hai, Jab kisi ne Ramzan ke 30 Roze rakhe aur fir 6 Roze ( Eid Ke din ke Baad )  aur rakh le to ye 36 Roze ho gaye ,36×10 = 360 ho jate hai'n , Chaand ke hisaab se ek saal 360 din Ka hota Hai,Lihaza 36 Roze rakhne per Allah Ta'ala ke nazdeek 360 Roze shumaar honge Aur isi tarah poore saal Roze rakhne Ka sawab milega ,Agar har saal Koi esa hi Kar liya Kare to sawab ke aitbaar se Saari Umar Roze rakhne Wala maana jayega ,
┱_ Agar Ramzan ke Roze Chaand ki vajah se 29 hi Reh Jaye tab bhi 30 hi shumaar honge Kyunki har Musalman ki Niyat hoti Hai k Chaand Nazar na aaye to 30 VA Roza bhi rakhega , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Sirf Ramzan aur 6 Shawwal ke Roze rakhne per is sawab ki Khush khabri sunayi hai ,
┱ _Baaz Aurte'n samajhti hai'n k ye sawab Usi Waqt milega Jabki Eid Ke Baad doosre din Kam az Kam ek Roza zaroor rakh le ye Galat hai , Agar Doosri Tareekh se Roze Shuru na kiye aur Poore Maah Shawwal mai 6 Roze rakh liye tab bhi ye sawab mil jayega ,
╨─────────────────────
*┱✿ Nifl Roze rakh Kar Tod dene Se Uski Qaza Laazim Hoti Hai_*
┱ _ Hazrat ibne Shihaab Zahri ( Taaba'i ) ne Bayan farmaya k Ek Martaba Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki do Biviyo'n Yani Hazrat Ayesha aur Hazrat Hafsa Raziyallahu Anhuma ne Nifli Roza rakh liya aur Subeh ho gayi , uske baad Unki khidmat mai bator hadiya khana pesh Kar diya gaya Jise Unhone Khaa liya aur Roza tod diya , iske baad Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam tashreef laye,
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k hum dono ne Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se Masla maloom karne Ka iraada Kiya aur Hafsa Baat karne mai mujhse aage bad gayi aur Woh Apne Baap ki Beti thi ( Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki Beti thi ) aur Arz Kiya k ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Maine aur Ayesha ne Nifli Roza rakh liya tha is Haal mai Subeh Hui k hum dono Rozedaar thi , Hamare Liye Khaane Ka hadiya pesh Kiya gaya ,humne Wo Khaa liya aur Roza tod liya ( to ab hum Kya Kare ) iske jawab mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - is Roze ki jagah ek Roza rakh Lena _,"
* Mota imaam Maalik Reh. 95,*
┱_ Nifl Namaz Ho ya Nifl Roza ho uski Adaygi Bande ke zimme Laazim nahi Hai ,agar koi Shakhs Nifl Namaz Shuru Kar de aur tod de ya Nifli Roza rakh Kar Aftaab guroob se pehle Jaan boojh Kar kuchh Khaa pi le ya esa koi Amal Kar le Jisse Roza toot Jata hai to fir us Namaz aur us Roze ki Qaza Laazim Ho Jati Hai aur vajah iski ye hai k Jab Tak Nifl Namaz ya Nifl Roza Shuru nahi Kiya tha us Waqt Tak Wo Nifl tha aur jab Shuru Kar diya to iska poora karna Waajib ho gaya ,
╨─────────────────────
*┱✿ Nifli Namaz v Nifli Rozo Ki Qaza Ke Masa'il_*
*┱ _ Masla _1 _,* Nifl Namaz ki har 2 Raka'at Alhida Namaz Shumaar hoti Hai , Agar Chaar Raka'at ki Niyat baandh Kar Namaz Shuru ki to Jab Tak Teesri Raka'at Shuru na Kar de 2 hi Raka'at Ka poora Karna Waajib hoga , Lihaza agar kisi ne Chaar Raka'at Nifl ki Niyat ki fir 2 Raka'at Padh Kar Salaam fair diya to koi gunaah nahi ,
*┱_ Masla_2 _,* Agar kisi ne Chaar Raka'at Nifl ki Niyat baandhi aur abhi 2 Raka'ate poori na Hui thi k Namaz tod di to Sirf 2 Raka'at ki Qaza padhe ,
*┱_ Masla _3 _,* Agar Chaar Raka'at ki Niyat baandhi aur Do Raka'at padh le ,fir Teesri ya Chothi Raka'at mai Namaz tod di to agar Doosri Raka'at per Beth Kar Attahiyaat vagera padhi hai to Sirf Do Raka'at ki Qaza padhe , aur agar Doosri Raka'at per nahi bethi Aur bager Attahiyaat padhe bhoole se khadi ho gayi ya Jaan boojh Kar khadi ho gayi to Poori Chaar Raka'ato ki Qaza padhe,
*┱ _Masla _4 _,* Zuhar ki Chaar Raka'at Sunnat ki Niyat agar toot Jaye to Poori Chaar Raka'at fir se padhe chaahe Do Raka'at per beth Kar Attahiyaat padhi ho ya na padhi ho ,
*┱ _Masla _5 _,* Agar kisi Aurat ne Nifl Namaz Shuru ki fir usko Namaz ke andar mazoori Shuru ho gayi Jo Aurat ko har Mahine pesh aati hai to Namaz Chhod de aur Baad mai us Namaz ki Qaza padhe, isi tarah agar kisi Aurat ne Nifl Roza rakh liya aur Kuchh Waqt guzar Jane ke Baad har Mahine wali mazoori pesh aa gayi to Roza khatm ho gaya ,Paak hone ke baad uski Qaza Kare ,
*┱ _Masla _6 _,* Nifl Namaz ya Roza Shuru Kar ke khud tod Dena Jaa'iz nahi hai , Agarche is Niyat se ho k Baad mai Qaza Kar lenge , Haa'n agar kisi ke yaha'n Koi mehmaan aa gaya aur Wo ad Jaye k jab Tak Sahibe khaana Saath nahi khayega Mai'n khaana nahi khaunga to uski dildaari ke liye ( Nifl ) Roza tod Dena Jaa'iz hai Lekin Baad mai uski Qaza rakhna Laazimi hai ,
 
╨─────────────────────
*┱✿ Maahe Shabaan Ke Roze_*
┱ _ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Rivayat Hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam musalsal ( Nifli ) Roze rakhte chale Jate they yaha'n Tak k Hume Khayal hone lagta tha k ab Aap be Roza nahi rahenge aur jab Roza rakhna chhodte to itne din chhodte chale Jate they k Hume Khayal guzarne lagta tha k ab Aap Sallallahu Alaihivasallam Nifli Roze nahi rakhenge ,
Aur farmati hai'n k Maine nahi dekha k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Kisi Mahine ke poore Roze rakhe ho Sivaye Ramazan ke Mahine ke , Aur Maine Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko nahi dekha k Shabaan ke Mahine se zyada kisi Doosre Mahine mai ( Nifl ) Roze rakhe ho ,
Aur Ek Rivayat mai Hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam Chand ayyaam ke alawa Poore Shabaan ke Roze rakhte they _,"
* Mishkaatul Masabeh-178 Ba hawala Bukhari v Muslim,*
"__ http://www.haqqkadaayi.com/2016/05/ranzan-fazail-v-masail.html?m=0
*Majeed Faza'il v Masa'il Yaha'n Dekhiye ,*
 
      *__Mukammal Hua,*
 
▦══─────────────══▦
ReF✿┅╮  
         * Tohfa E Khawateen,*
                  ╨─────────────────────
                    ✍
        *❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://www.haqqkadaayi.com/search/label/Khawateen%20Column?m=0
     *Visit For All Updates,*
     ★
Teligram-https://t.me/haqqKaDaayi
★ ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅═╕


Post a Comment

 
Top