0

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Mayoosi Ki Asal Vajah- Dawat Ka Chhod Dena,*
↬• Is Waqt Ummat Jin Halaato se Guzar rahi hai , Jis Taraf bhi Nazar uthate hai'n Mayoosi hi Mayoosi Nazar aati Hai ,
★• _ Dekhte hai'n Ahkaame Shari'at ko to sochte hai'n iska Nibaah kese hoga , Dekhte hai'n Musalmano ki Ma'asiyat ko sochte hai'n inke Halaat kese Durust honge , Dekhte hai'n Apni Mu'awin Masajid aur Dini Shobo ko to sochte hai'n inki hifazat kese hogi ?
★• _ Ummat Ke Paas Apni Har Asmaani aur Zameeni aur is darmiyan ki rehne wali Tamaam makhlooqaat se Jo Ummat ke paas Apni Hifazat Ka aur Malaa'ika ko naazil karane Ka Jo Buniyadi Sabab tha ,Ummat Usko bhula bethi hai ,Chhod bethi hai ,
★• _ Jab Tak Khuda ki qasam ( Ye ummat dobara ) Dawat per nahi aayegi ,Ummat Apne Dini Umoor aur Duniyavi Umoor mai Allah se madad nahi le sakti ,
★• _ Agar Dawat ko Kisi ek Tabqe Ka Apna Kaam samajh Kar Ummat ne isse Airaaz Karna to Bahut door ki Baat hai iska istaqbaal na Kiya to Yaad rakho k Wo Tamaam nusrate gaibiya Jo Ummate Muslima aur Ummate Mislima ke islam ki hifazat ke liye Muhammad Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Allah se Gaibi nusrato ko naazil karane ke liye akhtyar kar ke gaye hai'n ,Ummat un Asbaab ko Chhod chuki Hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Gaibi Nusrato Ke Nuzool Ka Sabab -Dawat aur Ibaadat Ko Jama karna,*
↬• Gaibi Nusrato se mehroomi aur Gaibi Nusrato Ka Naazil na hona Ummat Ko Yaha Tak pahuncha dega k Ab Musalman Lawarish hai ,Majboor hai , Magloob hai ,Majoor hai ,
★• _ Nahi , Khuda ki qasam Jab inki ( Musalmano ki ) Tadaad Ungliyo'n per ginne ke qabil thi jab ( bhi ) ye Aksariyat per gaalib they , Ab ( to ) inki Tadaad ko sametna mushkil hai to fir ye magloob kese ho sakte hai'n ,
★• _ *Hazrat farmate they - Baatil ke muqable per Jo Gaibi Nusrate Naazil Hui hai'n Unki Shart ,Uske Usool aur uske liye Sabse Buniyadi zariya Wo Dawat aur ibaadat ko Kama Haq Jama karna hai _,*  
★• _ Dawat aur ibaadat ko jama Karna Gaibi Nusrato Ke Nuzool Ka Asal Sabab hai , Yaad rakhna mahaj infiradi ibaadat per Gaibi Nusrate Naazil nahi hogi ye Pakki Baat hai , Kyu ? ( Kyunki ) is Ummat ke zimme Saleheen ki Mehnat se aage badh Kar Ambiya Alaihissalam ki Mehnat se aage badh Kar , is Ummat ke zimme Sayyadul Ambiya Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Ka Maidan e Mehnat hai ,
★• _ Agar Ye Ummat Us Maidane Mehnat per nahi hai to ye Baat Yaad rakhe , to is Ummat ki madad ba aitbaar Ambiya Alaihissalam ke ,Sulha ke bhi nahi hogi , is Ummat ki madad aur Nustrat us Maidane Mehnat ke aitbaar se hogi Jis Maidane Mehnat wale Nabi ki ye Ummat hai ,
*"__ Hazrat Farmate they - Agar ye Ummat Saleheen ki Mehnat se Ummat Ke Masa'il ko Hal karana Chahe to Kabhi na honge ,Agar ye Ambiya Alaihissalam ke Maidaane Mehnat se Ummat Ke Masa'il Hal karana Chahe to Kabhi na honge, is Ummat ki madad aur Nustrat ke Sabse Buniyadi Cheez Wo tareeqa e Mehnat hai ,Wo Maidane Mehnat hai Jo Maidane Mehnat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke Sahaba Raziyallahu Anhum Ka Tha _,"*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Allah Ke Deen Ke Madadgaar Bano,*
↬• Allah ne Shart Lagayi Hai :-(Surah Muhammad, Aayat 7 )
*_يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِن تَنصُرُوا اللَّهَ يَنصُرْكُمْ وَيُثَبِّتْ أَقْدَامَكُمْ_*
"__ Ey imaan Walo ! Agar Tum Allah ke Deen Ke Madadgaar ho to Woh Tumhara Madadgaar bhi hai Aur Tumhare qadmo ko jamane Wala hai ,
★• *_ Maulana Ilyaas Sahab Reh. Ka malfooz hai - Apni zaat se Poora Deen per chalne Wala Deendaar hai ,Magar Deen Ka Madadgaar nahi Hai _,*
"__ Is Ummat ki ye Khususiyat hai k ye Ummat Allah Ta'ala ki taraf se jab Mansoor hogi ,iski madad jab ki jayegi Jab ye Dawat ibaadat ko is tarah jama Kar le Jis tarah Sahaba Kiraam ne in dono ko barabar Jana kar ke dikhlaya ,
★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Paigaam agar kisi Baadshah ki taraf bheja to Sirf Paigaam nahi bhej Diya balki Jama'at bana Kar bheji , Jab Tak Musalman Ba Jaate khud Dawat nahi dega us Waqt Tak ye Apne Deen mai aane wali mushkilaat mai Allah ke yaha'n majoor nahi samjha jayega ,Kisi zariye se Deen Ka Paigaam pahuncha dena ye Allah Ta'ala ke yaha'n Zimmedari ke poora hone aur Ujr ke pesh karne ke liye Hargiz Kaafi nahi ,
★• _ Ye Khayal paida ho gaya hai k Paigaam pahunchane ke Bahut se zaraay hai'n ,Agar isse zimmedari Ada ho jati to Aaj ye Ummat Gaibi Nusrate 10 Sahaba ke ba-qadar dekhti aur And 50 Sahaba ke ba-qadar paati , Agar Khud Dawat diye bager kisi zariye se Paigaam pahuncha dena Allah Rabbul izzat ke yaha'n ma'azrat ke qubool hone ke liye Kaafi hota to ,Agar Allah ke yaha'n Muhammad Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke Sahaba ke tareeqa e Mehnat se hat Kar kisi zariye se Paigaam pahunchana zimmedari ke poora hone ke liye Kaafi ho jata to Khuda ki qasam 10 Sahaba ke ba-qadar Gaibi Nusrate dekhta Ajr 50 Sahaba ke ba-qadar paata,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Zimmedari Ka Poora Hona Asal Dawat Hai,*
↬• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Sirf Chaar Aadmiyo ki jama'at Kisra ki taraf bheji hai , Jo Sabse Badi Badshahat ,Sabse Badi Saltanat thi ,
★• _ ( Dawat Ke Liye ) Bheja hua Allah ki taraf se bheja hua hai ,Jiski taraf se bheja hua hota Hai Uski poori Taqat aur Ro'ab uske Saath hota Hai ,
*"__ Hazrat Farmate they - Ye Kaam Wo Kaam hai Jisko Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Sahaba se karwaya hai ba aitbaar Unke Zamane ke nahi balki ba aitbaar qayamat Tak ke liye karwaya hai ,*
★• _ Aap khud chal kar Jaye ,Islam Ka Paigaam har Chhote bade ko pahunchaye ,isko Allah Ta'ala Apne yaha ma'azrat Ka qubool hona maante hai'n , Qur'an ne Saaf Tor per kaha hai --
"__ Jab khud jaa Kar Dawat dene lage un logo ko Jinki Halakat Ka Allah ne faisla kar liya tha , Dawat dene walo ne kaha k hum isliye Dawat Dena chahte hai'n k Allah ke yaha'n Zimmedari ke Ada karne wale maane Jaye ,
★• _ Kisra ne khat faad Diya , Aap Sallallahu Alaihivasallam Tak khabar pahunchi ,Aapne farmaya Kisra ne khat nahi faad liya Kisra ne Apna Mulk faad liya , Kisra ne Yaman ke governor Bajaan ko hukm diya k Jis Shakhs ne mujhe khat likha hai ,Jaao usko giraftaar Kar ke lao ,
★• _ Do Aadmi Waha'n pahunche Aapko giraftaar karne ke liye , Dono Aapko dekh kar Kaanpne lage , Farmaya - ghabarao mat , kese aana hua ? Dono ne kaha - Aapko giraftaar karne ke liye Baadshah ne bheja hai ,Aapne farmaya- Tumhare Jis Aaqa ne Tumhe bheja hai mujhe giraftaar karne ke liye ,Tumhare Aaqa Bajaan ko mere Aaqa Allah ne Raat qatl kar diya ,, Likha Tehqeeq ki ,Usi Waqt Kisra ke Bete ne Apne Baap ko qatl Kar diya ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*So Fisadi A'amaale Dawat aur Ibaadat Akhtyar Karo,*
↬• Allah ki Shaan , Allah ne esa Tod Kar rakha k ( Kisra ke Baadshah ko ) Uske Bete ne qatl Kiya ,
★• _ Baap ko Andesha ho gaya Tha k Beta mujhe qatl karne wala hai ,Baap ne bete ke qatl Ka intezam kiya , Rivayat mai aata Hai k Usne Apne qeemti Khazane mai Ek Dibiya Zehar ki bhar kar rakhi aur us per " itenhaai quwwat ki Dava " likh kar isliye rakha Taki Mera beta isko Khaa Kar khatm ho ,
★• _ Baap ko khatm Kiya ,Baap ko khatm karne ke baad Bhaiyo'n ko qatl kiya , Bhaiyo'n ko khatm karne ke baad Jab Badshaah ban gaya , Chunki khandaan mai koi aur nahi Tha ,Ek din Baap Ka khazana khola ,Usme Dibiya nazar aayi aur ye Keh Kar khaya k Baap ne Hamesha quwwat haasil ki in Davao'n se mujhe kabhi nahi di , Ye Keh Kar khaya aur khatm hua , Poore khandaan mai koi Mard nahi Tha Jisko iski jagah Haakim banaya ja sake ,
★• _ Ye Waqi'aat ab Ummat ke tazkiro mai se khatm ho gaye , Jab ye Waqi'aat khatm ho jayenge , Jab Ummat ye do Cheez Chhod degi Gaibi Nusrato ke Waqi'aat aur Gaibi Nusrato ke Asbaab, fir iske alawa aur koi Raasta Nazar nahi aayega k Chalo fir inki Maa'n kar chalte hai'n ,
★• _ Jab koi Musalman Kehta hai - Hukm Shari'at Ka to ye hai ,( Mulk Ka Qanoon )  ye hai , Hum Kya Kar sakte hai'n ?
*"__ Hazrat Maulana Ilyaas Sahab Reh Ka Ajeeb malfooz hai , Hazrat Farmate they - Jitne Deen per Chalne Ka Allah ne Musalman ko akhtyar Diya hua hai agar Musalman ne utne Deen per chal kar na dikhaya ,Allah iski Nusrat nahi karenge , Allah us Deen per iski madad nahi karenge Jis per chalne mai isko akhtyar nahi hai _,"*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Yoosa Bin Noon aur Asar Ki Namaz Ka Waqt -,*
↬• Agar Musalman So Fisadi Allah Ke Ghar ko A'amaale Dawat aur ibaadat se Abaad karne Wala hota to Mu'awin ki taraf Koi Nazar utha Kar dekhne wala na hota ,
★• _ Dawat ibaadat ko jama kiye bager ye Ummat Gaibi Nusrate dekh nahi sakti ,Aap gor kare -( Yoosa bin Noon ) idhar Dushman Muqable per hai'n , idhar Asar Ki Namaz ,( Yoosa bin Noon ) Yaha'n aa Kar Pareshan they Ya Allah Kya kare ? Hum majoor hai'n Tere Kaam mai lage hue hai'n ye bhi Tera hukm hai ,Namaz bhi Tera hukm hai ,Ey Allah Do Amr ( Dawat aur ibaadat ) jama ho gaye ,
★• _ Agar Dawat illallaah ke bager Kisi taqabul Ka iraada Kiya aur agar Deen Ka Mohtaaj hue bager kisi Kaam mai aitdaal Ka Raasta akhtyar Kiya to ye Apne daave mai Sachche nahi niklenge ,isliye k Sahaba ki Gaibi Nusrato Ka Jo Asal hai- ese Marde maidaan ban jao Jese Wo Ahad ko poora karne wale they , Allah ne ek jagah nahi Sekdo jagah Kar ke dikhla diya k Jo Dawat ibaadat ko jama karte hai'n Hum unhe Apni qudrat se kese galba ata farmate hai'n,
★• _ Yoosa bin Noon Dushman ke muqable per aur Sooraj guroob ho raha hai ,Asar ki Namaz Ka Waqt ,Ey Allah hum bhi Mamoor hai Suraj bhi Mamoor hai ,Farq ye hai k hum Tere Kaam mai lage hue hai'n ye Suraj bhi Tere Kaam mai laga hua hai ,iski haisiyat Wo nahi Jo hamari hai ,Ye hamare taabe hai hum Tere taabe hai'n , farmaya - Ey Allah isko Yaha rok de , Suraj ruk gaya ,intezar Kiya Suraj ne jab Tak ye ( Namaz se ) faarig ho Jaye aur Asar padh le Suraj Apni jagah se harkat nahi Kar Sakta ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Kaaynaat Mamoor Hai ,*
↬• Kaaynaat Mamoor Hai insaan ki khidmat ke liye aur insaan Mamoor Hai Allah ki ibaadat Ke Liye ,
★• _ Ye kehna k Kaaynaat Ka Nizaam to Kaaynaat ke aitbaar se chalega ,Ese Log Allah ki Zaate Aali se faayda kabhi nahi utha sakte , Jo ye Yaqeen rakhenge k nahi , Nizaame Kaaynaat Kaaynaat ke aitbaar se nahi chalega balki Nizaame Kaaynaat ( Allah Ta'ala Ke ) ahkaam ke aitbaar se chalega, Unke liye Nizaame Kaaynaat unka Khaadim ban Kar chalta Hai ,
★• _ Is Zamane mai Nizaame Kaaynaat makhdoom hai aur Musalman Jisko Allah ne Makhdoom banaya Tha Nizaame Kaaynaat Ka Khaadim aur Gulaam ban Kar chal raha hai , Ye to Kaaynaat ke Wo naqshe hai'n  Chaand Sitaare Suraj Jo insaano ke bas se baahar ki Cheez hai, Mamooli Asbaab Jo inke Haatho mai hai'n ye khud inke taabe nahi hai'n ,
★• _ Karobaar hai Nafa nahi hai , Zameene hai'n Paidawaar nahi hai , Biviya'n hai'n Aulaad nahi hai , Davae'n hai'n Shifa nahi Hai , Hathiyar hai'n hifazat nahi hai'n , Hukkaam Hai izzat nahi Hai ,Saara Nizaame Kaaynaat utha Kar dekh lo ,isliye k Ulti soch hai , ...Tum Allah ka ho Kar dekho Allah Ta'ala Tumhare kese Hote hai'n aur Tumhe Nizaame Kaaynaat Ka kese Baadshah banate hai'n,
★• _ Ye Keh Kar guzar Jana k Ye to Sahaba ke liye hua hai ,Wo Qayamat tak Ummat ko madad ke Zaabte batane ke liye hua hai ,Sahaba ki Gaibi Nusrate unke tarruf ke liye nahi hai'n balki Qayamat Tak Allah ki Zaate Aali se Barahe Raast faayda Uthane ke liye hai'n,
"__ Chhote Chhote ohde ,Chhote Chhote Asbaab Jinka Naam Lena bhi Khail maloom hota Hai ,inko dekh Kar Musalman ye Kahe k Ab Kya hoga ? Sabse Buniyadi Baat ye hai k jab Tak Sahaba Kiraam ke Tareeqe per nahi aayenge us Waqt Tak ye Ummat Gaibi Nusrato Ka mushahida nahi Kar sakti isliye k zimmedari Ka Ada Karna zaruri hai Allah Ta'ala ki Gaibi Nusrate Naazil hone ke liye , Ye Gaibi Nusrate Kiske taabe hai'n ? Azeeb Baat hai ye Gaibi Nusrate infiradi Dawat ke taabe hai ,,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Gaibi Nusrate infiradi Dawat Ke Taabe Hai'n,*
↬•Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ek Safar mai they ,Sahaba Kiraam Aapke Saath they ,
★• _ Ek Dehaati se puchha- Kaha'n ja rahe ho ? Kaha Apne Ghar ja raha hu'n , Aapne Puchha - Kya tum Meri Risalat per Gawahi Doge ,? Usne for an kaha- Kon Gawah hai Aapki Risalat per ? Aapne ye nahi farmaya k Mere Sahaba Gawahi denge , Aapne farmaya - is vaadi ke kinaare per Jo darakht khada hua hai ,Ye Darakht Gawahi dega k Mai'n Allah ka Rasool hu'n ,
★• _ Gaibi Nusrat isko kehte hai'n, Ese Waqi'aat Ka pesh aana Jisse Allah Rabbul izzat ke na maanne wale Allah ko maanne per Majboor ho Jaye k iske alawa koi Raasta nahi ,
★• _ Darakht Zameen faadta hua aaya aur Aapke saamne khada ho gaya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne teen martaba darakht se Gawahi li , darakht ne teen martaba Gawahi di ,Beshak Aap Allah ke Rasool hai , Beshak Aap Allah ke Rasool Hai'n , Beshak Aap Allah ke Rasool Hai'n ,Dehaati ne islam qubool kiya ,
*★• _ Hazrat Farmate they- Allah ki Zaate Aali se faayda Uthane ke liye Kaaynaat Ka Yaqeen nikalna Shart Hai _ Kyu? Isliye k Yaqeen Kaaynaat Ka hai to ye Allah ko Kaaynaat pesh Karega Allah ki Zaate Aali se faayda Uthane ke liye ,*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Yaqeen Ki Tabdeeli ke Liye Allah Ki Tauheed Ko Bolna,*
↬• Ambiya Alaihissalam Sabse Pehle Jo Dawat le kar aaye - Allah ke ma Siva se Allah ki Zaate Aali ki taraf Yaqeen ko ferna ,Ambiya Alaihissalam Ka Pehla Kaam ye Tha
★• _  ,Unhone Dawat Ke zariye Allah ke Bando ko Allah ka Ta'arruf karwaya ,Allah ke gair se Yaqeen ko Allah ki Zaate Aali ki taraf fera ,Is Yaqeen ki tabdeeli mai Pehla Kaam Allah ki Tauheed Ka Bayan Karna tha, Ambiya Alaihissalam iski Dawat le Kar aaye k Karne wali zaat Sirf Allah ki hai Kyunki Jitni bhi shaklo Ka Yaqeen Dilo mai betha hua Tha ,Un Saari Shaklo ko Ma'abood Ka darja Diya hua Tha, Ambiya Alaihissalam ne aa kar Sabse pehle iski Taleem di,
★• _ Allah ki Tauheed ko Bayan Karna Ba Zaate khud maqsood hai ,Ahkaam Ka ilm Amal ke liye maqsood hai , Agar Allah ki Tauheed ko Bayan na Karega to iske aur Allah ke darmiyan Kaaynaat ki cheeze Haa'il ho jayengi ,Wo Zaahiri Nizaam ko qudrat samjhenge ,
★• _ Nizaame Kaaynaat qudrat se bana hai , Nizaame Kaaynaat Qudrat nahi hai , Nizaame Kaaynaat qudrat se ban kar qudrat ke Qabze mai hai , Nizaame Kaaynaat Ka ek Patte Se Le Kar Jibraiyl Alaihissalam Tak ye sabke Sab har aan har Lamha Allah ke Qabze mai hai'n , Allah Rabbul izzat in Tamaam Naqsho mai Jo chahenge Wo karenge ,
★• _ Ambiya Alaihissalam ne Shuru se Aakhir Tak Apni qaum ke Yaqeen ko zaahir ki shaklo se Allah ki Zaate Aali ki taraf fera hai , Ek Sahabi ne aa Kar arz Kiya k - Ounto ko khaarish fail gayi hai , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya -  Ounto ko Khaarish kaha se ho gayi ? Farmaya - Ek Ount ko khaarish ho gayi thi Jisse Saare Ounto mai fail gayi , Aapne farmaya- Pehle Ount ko khaarish kaha se ho gayi ? Nizaame qudrat esa nahi hai" Na'uzubillah " k Ek ko khaarish ho to Sabko ho gayi , Nahi balki Nizaame qudrat ye hai k Har ek ko Khaarish Allah ke amr se hui hai , 
"__ Agar itni Baat samajh mai aa Jaye k Kaaynaat mai Jo kuchh hota hai Wo Allah ke amr se hota hai to Musalman ki aksar Kya Saari uljhane khatm ho Jaye ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Duniya mai Fasaad Ki Vajah Musalman Ke ( Bad)A'amaal Hai'n ,*
↬• Ye Kehna k Yu'n karte to Yu'n ho jata , Hukumat yu'n karti to Yu'n ho jata ,
*★• _Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Ek Shakhs Apni Zubaan se ye Baat  Kahe k agar hum yu'n karte to Yu'n ho jata , Farmate hai'n k in kalmaat ke Kehne se Behtar ye hai k Dahakta hua Angara Apni Zubaan per rakh le , Zubaan jal kar khatm ho Jaye , Ye Zubaan Ka jal kar khatm ho Jana ye behtar hai k Zubaan se ye Kahe k Yu'n karte ho Yu'n ho jata ,*
★• _ Hukumat yu'n karti to Yu'n ho jata -- Saari Ummeede Hukumat se waabasta hai'n , Musalman ko Ahkaam se Ummeed nahi hai ,Halanki Nizaame Kaaynaat Ka Talluq Ahkaam se hai Hukkaam se koi Talluq nahi , Saari Duniya mai Jitna fasaad hai Allah ne Barahe Raast Musalman ke Badan se nikalne wale A'amaal se Joda hai ,iske alawa Khuda ki qasam Musalman se hat kar Duniya ke fasaad Ka kisi makhlooq kisi qaum kisi Ahle mazhab ya kisi Maaddi Taaqat se fasaad Ka koi Talluq nahi Hai ,
★• _ Hum Saare fasaad aur Saari mushkilaat ko Baahar ke naqsho se Jode hue hai'n , Yahi vajah hai k Log fasaad ko rokne ke liye mazeed naqshe banate hai'n halanki fasaad Ka Talluq Musalman ke Badan se nikalne wale A'amaal se hai ,Allah ne farma diya tar mai ( hi ) nahi khushki mai nahi balki Samundar ke andar Jo fasadaat hai'n Wo ( bhi ) Momin Ka Amal hai , Mushrik ki bad A'amaliyo se koi fasaad nahi aayega aur Mushrik ke A'amaal e Khayr se itni Khayr uske hisse mai aa jayegi Jisse uske Kaam Ka badla Duniya mai de kar nipta denge ,... Lekin Momin Ka Amal ,ye faisla Karega Khayr aur Shar Ka ,
★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Sahaba Ke Yaqeen ko zaahir ki shaklo se hataya hai , Ek Raat Hudebiya mai Baarish Hui ,Aapne farmaya is Baarish se Baaz Momin reh jayenge ,Sahaba Hairaan ho gaye ,Aapne farmaya Jo ye kahega Baarish Fala Sitaare ki vajah se Hui Hai Wo Allah ka inkaar karne Wala aur Sitaaro Ka Yaqeen rakhne Wala hai aur Jo ye kahega Baarish Allah ke Fazal se Hui Wo Allah per imaan rakhne Wala aur Sitaaro Ka inkaar karne Wala hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Aqeede Bigde Hue Hai'n,*
↬• Sabse pehle is Kalma E Laa ilaaha illallaah ke zariye Aqa'id ka durust Karna hai ,
★• _ Aqeede Bigde hue hai'n ,, Najoomi ye Keh rehe hai'n , Faishion go ye Keh rahe hai'n .. 
*_Hazrat Farmate they -Allah ko na maanne wale Aage Kutto ko bhej Kar Usse Halaat maloom Kar ke qadam uthate hai'n ,Allah per Yaqeen rakhne walo Ka Sabse bada qaa'id Muhammad Sallallahu Alaihivasallam hai'n Jo itni aage ki khabar laaye hai'n Jaha'n Tak Jibraiyl na kabhi gaye hai'n na kabhi jayenge _,*
★• _ Musalman Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki Khabro se hat Kar Zaahiri shaklo per , Zaahiri Asbaab per qadam uthaye ? Zara Aqal Ka istemal karna padega ,
★• _ Imaan bil Gaib Kya hai ? Mushahide Ka , Zaahiri naqsho Ka khula inkaar , Nizaame Kaaynaat Asal nahi hai ,Allah ka Amr Asal hai , Gaib Ka ilm Allah ke Siva kisi ko nahi Hai , Zaahiri Nizaam ki Kya haisiyat , Zaahiri Nizaam isliye banaya gaya hai k isko dekh Kar tum Allah Tak pahunchte ho ya isme Kho Kar reh Jate ho ,?
★• _ Bana hua banane wale ke Tarruf ke liye hai ,bana hua banane wale se faayda Uthane ke liye nahi Hai, ... Duniya se faayda uthalo ,,maze udaalo to is jagah tum mujrim ho ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Nizaame Kaaynaat Allah Ke Tarruf Ke Liye Hai,*
↬• Is Kaaynaat ke naqsho se faayda uthalo, ( Agar ye soch hai to ) to tum mujrim ho ,
★• _ Sabse bada mujrim Kon hai ? Sabse Bada Mujrim Wo hai Jo Allah ko esa na maane Jesa Allah hai , Wo Shakhs kese Muslim hoga Jo Mushrik ki Duniya ki tamanna kare k Kaash Jo kuchh inhe Mila hai Hume milta to hum gaalib aa Jate ,
★• _ *Hazrat Farmate they - Gairo ke Asbaab ki tamanna Karna gairo ke muqabil aane ke liye, Jaha'n dono taraf maadda muqable Ka hai Allah Ta'ala ki Nusrat aur Madad kabhi Saath nahi hogi ( Kyunki yaha'n ) Asbaab Ka muqabla Asbaab se hai , Jab A'amaal Ka muqala Asbaab se thehrega Tab Allah Rabbul izzat Amal ki khaasiyat ko zaahir farmayenge ,*
★• _ Nizaame Kaaynaat Allah ke Tarruf ke liye Hai , Ibrahim Alaihissalam ne Mukhtalif Shakle dekhi , Sitaaro ko dekha , Chaand ko dekha ,Suraj ko dekha aur Teeno Ka inkaar kar diya ,
*"__ Hazrat Farmate they - Shakle do qism ki hai'n ,Mutaharrik ,gair mutaharrik , Ibrahim Alaihissalam ne dono shaklo Ka inkaar Kiya _,"*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Qudrat Allah Ki Zaate Aali Mai Hai,*
↬• Namrood ne kaha - Hume Tum Razzaaq maan lo , Hum tumhe Raashan denge ,
★• _ Aaj bhi yahi Baat hai ,Namrood khatm hua Namroodiyat khatm nahi Hui , Firoun khatm hua Firouniyat khatm nahi Hui , Musalman Ko is Baat Ka Khayal bhi aana k hamara Kya hoga ? Ye Allah ki madad se mehroom hone ke liye Kaafi Hai ,
★• _ *__ Hazrat Farmate they - Allah ki qudrat ye nahi k wo Zameen se Galla nikaal rahe hai'n, Jisko Banda ye Kahe Dekho Allah ki Qudrat , .....,
"__ Ye to Sirf Gairo ko , Allah ko na jaanne walo na maanne walo ko dikhane ke liye Hai k Galla Kaha'n se aa raha hai ,Galla dene wale ko pehchano , ( Zameen se Galla nikalna ) Ye Allah ki qudrat nahi hai Allah ki qudrat Ka tarruf hai ,Saara Nizaame Kaaynaat qudrat nahi hai Qudrat Ka Tarruf hai , ( Allah Chahe Jaha'n se Galla nikaal kar dikha de ),
★• _ Ibrahim Alaihissalam ne Shaklo Ka inkaar Kiya ,Namrood ne Raashan band Kar Diya , Qudrat Allah ne ye dikhayi k Mitti se bhari Hui Bori ko Allah ne Aate mai Tabdeel Kar diya , ( Bata diya k ) Hum ese Razzaaq hai'n , Hum qaadire mutlaq hai'n , Qadire gair muqayyad hai'n , Zameen ( se Galla nikalna ) Qudrat ke Tarruf ke liye hai , Qudrat Allah ki zaat mai hai ,
★• _ Jo log Nizaame Kaaynaat Ka inkaar nahi karenge Allah ki qudrat ke muqable mai unhe ye samjhaya jayega k dekho Jo Cheez Tumhe nafa de rahi hai Tum uska Kam az Kam Shukr to Ada karo , Zameen Tumhe Galla de rahi hai tum Zameen Ka shukr to Ada kar do ,
*"__ Hazrat Farmate they- Jitni Buto ki Shakle hai'n ye Saari Shakle Zameen ki paidawaar hai'n ,Lakdi ,Taamba ,Loha ,Peetal Sab Zameen ki paidawaar hai ,Jab Juz Ka inkaar kar raha hai to kul Ka inkaar kyu nahi karta ,Allah Ta'ala Saaf farmate hai'n - ugaana bhi hamara Kaam hai aur ugaa Kar Saare ko bhoosa bana de aur Ek Daana Tumhare haath na lage ye bhi hamara Kaam hai _,*"
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Gaib Ka Yaqeen Shart Hai,*
↬• Allah Ki Zaate Aalai se Faayda Uthane Ke Liye Gaib Ka Yaqeen Shart Hai ,Isliye Sabse Buniyadi Cheez imaan bil gaib hai ,
★• _ Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Jo khabar le Kar aaye hai'n Aapko layi Hui Khabro ko Tamaam Zaahiri mushahidaat aur Asbaab ke muqable mai Yaqeeni maanna isko imaan bil gaib kehte hai'n , Jis Cheez ki tasdeeq dekh kar ki Jaye use imaan nahi kehte , 
★• _ Azeeb baat hai Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Sahaba Se Jab bhi koi Vaada kiya Wo Vaada Mushkil Halaat mai kiya , Tangi ke Halaat mai kiya ,Khof ke halaat mai Kiya ,Faake ki haalat mai Kiya , Hudebiya mai Vaada Kiya Fateh Ka , Jaha'n Fateh ki koi Cheez nahi hai , Khandak mai Vaada Kiya Qaisaro Kisra ke Mahallaat Fateh hone Ka Jaha'n Khaane ko roti bhi nahi , Peto per Patthar bandhe hai'n , Hifazat Ka intezam ho raha Hai,Khandak khodi ja rahi Hai,
★• _ Ye batane ke liye k Hum per imaan laane Ka Talluq Nazar aane wali shaklo per nahi Hai,Hum per imaan lane Ka Talluq hamari layi Hui Khabro ko Yaqeeni maanne per hai , Hum Jo bhi qadam uthate hai'n Zaahir ke aitbaar se uthate hai'n , Waha'n Jo bhi qadam uthwaya hai Wo Gaib ki buniyad per uthwaya hai ,
★• _ Isliye ye Baat Yaad rakhe imaan bil gaib Asal hai ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Safare Mairaaj aur Gaib Ki Khabar _,*
↬• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka Safare Mairaaj hua ,Aapne Yaqeen karne walo ko khabar nahi di balki jhutlane wale ko pehle khabar di ,
★• _ Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Sabse Zyada tasdeeq karne wale Unko Baad mai ilm hua ,Abu Jahal ko pehle ilm hua , Sabse bada Kazzaab usko bataya k Raat ye safar hua hai ,Gaib ki khabar di , Aap Sallallahu Alaihivasallam bethe hue they ,Abu Jahal guzra waha se ,Aapne farmaya- Raat mere Saath esa hua , Abu Jahal ne kaha - Khamosh rahiye Mai abhi Sabko jama Kar lu ,Sab mil kar Aapki tasdeeq karenge ,
★• _ Log daude daude gaye Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Ke Paas k Aapke Saathi Kya Keh rahe hai'n k Raat ko kisi hisse mai Jism ke Saath Makka Mukarrama se Baytul Muqaddas ek Mahine Ka safar aur waha se Asmaano Ka la mehdood safar Wo Raat ke kisi hisse mai ho gaya ,( Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne ) Sunte hi farmaya - Agar Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Keh rehe hai'n to bilkul Khuda ki qasam Sach Keh rahe hai'n , hum Yaqeen karte hai'n ,
★• _ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki layi Hui Khabro ko Nabi Kareem Sallallahu ke Aitmaad per Yaqeen Karna ye imaan bil gaib hai , isliye Khuda ki qasam Jitna Nabi ke Hote hue Nabi ki Baat per  imaan Lana zaruri hai itna Musalman Qayamat Tak aane wale Musalman ke liye Aapki Baat per imaan Lana zaruri hai , Ye nahi k Aapke Baad Yaqeen ki satah aur hogi balki is Ummat ko to Khush khabri suna di gayi hai k Jo mujhe bager dekhe imaan laye Unke liye Saat baar Khush khabri hai Jo dekh kar imaan laye Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Unke liye ek baar Khush khabri hai, baar baar farmaya ,
★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Safare Mairaaj hua ,Mushrikeen ne ( Aapki layi Hui khabar Ka ) inkaar Kiya , Kamzor imaan wale murtad ho gaye k Wo Baat Karo Jo hamari Aqal mai aaye , Nabi Ki Baat Ka madaar Aqal per nahi balki Nabi ki khabar Ka madaar Yaqeen per hai ,Deen Ka madaar hukm per hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Deen Ka Madaar Aqal per Nahi Hukm per Hai,*
↬•_Nabi Ki Baat Ka madaar Aqal per nahi balki Nabi ki khabar Ka madaar Yaqeen per hai ,Deen Ka madaar hukm per hai ,
★• _ Kisi farize mai to Bahut door ki Baat hai Aqal ladana k islam mai ye Kyu hai ? Fala Cheez Kyu hai ? Qanoon ko le Kar Ahkaame Shari'at mudakhlaat jab hogi jab Musalman ba Zaate khud Deen ko Khail bana lenge , Yaha Fara'iz aur Ahkaame Shari'at Ka Masla dekhte ho Jabki --
*★• _ Hazrat Farmate they - Gair Tumhare Deen ko jab mitayenge jab tum Deen ko khud bigaad chuke honge Varna Khuda ki qasam Saara Baatil mil kar ek istinje ki line ki Sunnat Ka muqabla nahi Kar Sakta _,"*
★• _ Jab Musalman Aap Sallallahu Alaihivasallam ki layi Hui Khabro ko Aqal se sochne Beth jayega aur ye sochega Fala Sunnat ki Kya zarurat hai ? Iski Kya Hikmat hai ? Andaza to Karo Shaah Abdul Azeez Dehalvi Reh.ne ek Rivayat ko Naqal farmaya ---
*"__ Allah Rabbul izzat ne Aqal ke so (100 ) hisse kiye ,Ek hissa Aqal Ka Saari Makhlooq per takseem Kiya hai ,aur Tanha Ninyanve ( 99 ) hisse diye gaye Tanha Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ko _,"*
★• _ Saari Duniya ke Science da ,Sitasat da ,Sarmayakaar Jinhe Aqal Wala samajh Kar Unke Pichhe chalte hai'n Allah ne in Sab per Aqal Ka ek so Va hissa takseem kiya hai ,Saare Ulma ,Saare Awaam Saare khawaas Sabko Aqal Ka ek Hissa Mila hai ,
"_Usse bada be Aqal kon hoga Jo Kisi Sunnat ki Hikmat Tak Pahunchne ki koshish Kare , usse puchho Tere hisse mai konsa zarra Aqal Ka aaya hai itni badi khalqat mai takseem ho Kar Jo Tu ye Kahe k ye Baat samajh mai nahi aa rahi Hai ,Banda Allah aur Uske Rasool ke hukm Ka Mamoor hai ye nahi Keh Sakta k ye Baat hamari samajh mai nahi aa rahi hai is Sunnat ki Kya Hikmat hai ?
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hazrat Khuzema Raziyallahu Anhu Ka Imaan,*
↬• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne ek Dehaati se Ghoda kharida ,
★• _ Maamla Tay ho gaya ,Farmaya - Aao mai Tujhe qeemat de du , Dehaati pichhe pichhe Ghoda le kar , Log mile Raaste mai - Kaha'n ja rahe ho , Ghoda bechne , Bechoge , Haa'n bechenge, ( Dehaati ne ) Ye nahi Kaha Ghoda bik chuka hai , Qeemat zyada Milne lagi to Apni Baat se fir gaya ,Awaaz de Kar kaha - Ey Muhammad ( Sallallahu Alaihivasallam ) Aap Ghoda lenge ya Mai'n inko bech du'n ,
★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Ye Ghoda Mai'n Tumse khareed Chula hu'n ,Maamla ho chuka hai , Ghode wale ne kaha - Khuda ki qasam Maine Aapko Ghoda nahi becha , Gawaah laiye , Jo Aadmi khud ye Jaanta hai Teesra Koi nahi Tha is maamle mai Wo Keh Raha hai gawaah laiye ?,
★• _ Abi ye Baat chal hi rahi thi k Khuzema ibne Saamit Raziyallahu Anhu waha'n se guzre ,Unhone Suna aur aage bade aur kaha - Mai'n Gawahi deta hu'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ghoda khareed liya , _Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Ey Khuzema tumne kese gawaahi de di Jab Tum moqe per mojood nahi they ,
"__ Ye Sawal isliye nahi hai k Khuzema Raziyallahu Anhu Sach bol rahe hai'n ya Jhoot , Ye Sawal isliye hai k Khuzema Raziyallahu Anhu Ke imaan Ka Sakht imtihaan hai , k Mai'n Dekhna chahta hu'n k Khuzema Apni Baat per jamte hai'n ya Apni Baat se fir Jate hai'n ,
★• _ Hazrat Khuzema Raziyallahu Anhu ne arz Kiya - Hum kese gawaahi na de ,Ye to ek Ghoda hai Jise Aapne khareed liya tha ,Aapne Hume Arsh ki khabar di humne nahi dekha , Kursi ki khabar di Hume nahi dekha ,Aapne Allah Jal Shanuh ki khabar di Humne nahi dekha ,Aapne Jannat aur Dozakh ki khabar di humne nahi dekha ,Hum to un Tamaam cheezo ko bager dekhe Yaqeeni maante hai'n ,Fir ek ghode ki Kya haisiyat hai ,Jo zaat itni badi badi cheezo ki khabar layi hai aur Hamare liye unko maanna farz hai Wo zaat ek ghode ke bare mai Jhoot kese Keh degi ,
*"_isliye imaan bil gaib sikhaya hai Aapne Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum ko ,
*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Imaan Ki Dawat Ka Momin Zyada Haqdaar hai,*
↬•( imaan Ki Dawat Dena ) Imaan Ki Haqeeqat ko haasil karne ke liye Ummat ke har fard ke zimme hai ,
★• _ Kyunki Allah Ta'ala Ka Hukm hai -"_ Ey imaan walo imaan laao ,"_  is imaan ki Dawat Ka Haqdaar Mahaz Gairo ko samajh Kar ye soch liya Jaye k ye ( imaan ki ) Dawat Gairo ke liye hai , Esa nahi hai balki imaan laane Ka Hukm imaan Walo ko hai ,Khud Sahaba Kiraam Ka Amal hai k Wo Sahaba khud Sahaba ko imaan ki Dawat Diya karte they, " _Aao kuchh der imaan le aaye _," isliye k Momin is imaan Ka zyada Ahal ,zyada Haqdaar hai ,
★• _ Isliye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Sahaba ko Jo imaan sikhlaya hai Wo Do Raasto se sikhlaya hai ,Ek imaan bil gaib ke Raaste se ,Doosre imaan ita'at ke aitbaar se ,
★• _ Islam imaan Ka Mazhar hai ,Islam imaan ke vajood ki Alamat hai , Dilo'n mai imaan hoga to Islam Badan se zaahir ho Kar rahega ,
*"_ Hazrat Farmate they - Sabse Zyada imaan ke Vajood Ka mazhar itteba e Sunnat hai ,Momin muttabe Sunnat hoga Kyunki Dilo'n mai Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki Muhabbat Makhlooq aur Tamaam Kaaynaat per gaalib ho ,Ye imaan Ka Taqaza hai _,"*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Itaa'at Ka imtihaan Hoga,*
↬• Dilo'n mai Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki Muhabbat Makhlooq aur Tamaam Kaaynaat per gaalib ho ,Ye imaan Ka taqaza Hai,
★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne ek Sahabi ko bulaya Jo Apne Baap se Sabse zyada Muhabbat karte they ,Bula Kar farmaya - Jaao Apne Baap Ka SAR kaat Kar laao , Ye Sahabi daude , Farmaya - Kaha'n ja rahe ho ? Bole - Aapka hukm hai ,
"__itna bhi nahi puchha k Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Mai'n Aapka hukm poora Kar dunga munhe Sirf vajah maloom ho Jaye k mere Baap se Kya khata Hui , itna bhi moqa nahi diya Sahabi ne ,
★• _ Aapne roka, farmaya - nahi , yaha'n aao ,Hum Dekhna chahte they Tumhe Baap se Muhabbat zyada hai ya Humse Muhabbat zyada hai ,
★• _ Ye imtihaan har Momin Ka hoga , Musalman ko Sunnato Ka Ek mukammal tareeqa e Zindgi dekar Allah Ta'ala Dekhna chahte hai'n k inke quloob kidhar jhuke hue hai'n ,Sirf Sajde mai sar Jhuka Dena isko sar Jhuka Dena nahi kehte balki SAR se le kar Payr Tak itteba e Sunnat , Hukumat se le kar ek Feri wale Tak, iski poori Zindgi agar Sunnat ke mutabiq hai to iska Dil Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki taraf maa'il hai ,
"__Aur agar iski Zindgi ke kuchh A'amaal Gairo ki taraf Unke tareeqo ki taraf maa'il hai aur Kuchh A'amaal Deen Ke bhi kar Leta Hai to Sachchi Baat arz karu , Qur'an ne ese hi logo Ka Tarruf karaya hai aur ye kaha hai k  *"__ Ese bhi log hai'n Jo Kufr aur islam ke Kinaaro ( Border ) per chalte hai'n ,na Poore Kufr mai, na Poore islam mai ,*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Islaam itteba e Sunnat Ka Naam Hai,*
↬• Qur'an ne ese logo Ka Tarruf karwaya hai aur kaha hai k ese bhi log hai'n Jo Kufr aur Islam Ke Kinaaro ( Border ) per chalte hai'n , Na poore Kufr mai na Poore islam mai ,
★• _ Inhone darmiyan Ka Raasta nikaala hai k dekho ye Kufr hai Ye Islam hai aur ye darmiyan Ka Raasta hai , Ye darmiyan Ka Raasta un logo ke liye hai Jo poore Islam per nahi chal sakte , Ajeeb Baat hai Khuda ki qasam ye darmiyan Ka Raasta Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Zamane mai nahi Tha , Ya So Fisadi idhar Ya so Fisadi udhar ,
★• _ Ye darmiyan Ka Raasta Munafiqeen Ka Raasta Tha ,Agar unko Ahkaam aur Ahkaame Islam mai koi nuqsaan Nazar aata Tha to wo palat Jate they Kufr ki taraf ,Agar inko koi nuqsaan Nazar aata Kufr ki taraf aur nafa Nazar aata Islam ki taraf to ye Islam ki taraf palat Jate they , Allah ne farmaya - inke liye dono jagah khasaara hai ,Duniya mai bhi Aakhirat mai bhi ,
★• _ Isliye Asal itteba e Sunnat hai ,Wo saari Hidayat Ka Khulasa aur Saare Deen ki Haqeeqat hai - Agar Nabi ki ita'at karoge to Hidayat pa Jaoge , isliye Sirf Fara'iz Ka Ada ho Jana Islam nahi Hai , Fara'iz Ka Ada Karna to Islam mai dakhile ki wo Shara'it hai Jiske bager ye Musalman Saabit nahi hoga ,
★• _ Fara'iz Islam mai dakhile ki Shara'it hai ,Jis tarah kisi Mulk mai dakhile ke liye Viza Shart hai ,Viza nahi Hai to Aapko waapas Kar denge , Jab kisi ko Musalman Kiya Jata tha to use ye kaha Jata Tha k Gawahi Deni hogi ( Allah ke ek hone ki , ibaadat Ke laa'iq hone ki aur Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke Nabi aur Rasool hone ki ) ,Namaz Ada karni hogi ,Roze Rakhne honge ,Zakaat Ada karni hogi ,Hajj Karna hoga , Ye Manzoor hai to Hum Aapko Musalman maante hai'n ,Ye Manzoor nahi hai ,in me se ek bhi Manzoor nahi hai to ye Islam mai dakhil nahi ,
"★• __ Islam Kya hai ? Islam to itteba e Sunnat Ka Naam hai ,Itteba e Sunnat Ka Matlab ye hai k Apne Aapko Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke Tareeqo ke poori tarah hawale Kar do , Agar poori tarah hawale nahi karoge to ye mat Samajhna k 10 Fisadi Deen ,40 Fisadi madad ...
*_Hazrat Farmate they - Islam esa Mazhab hai Jiske Chand Ahkaam akhtyar Kar ke Kaamyabi haasil ki ja sake balki Islam esa murattab Nizaam hai k agar kisi shobe Ka koi hukm tootega to usse wo shoba hi mutassir nahi hoga balki Saare shobe mutassir honge ,*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Naakis Deen - Nata'ij Naakis*
*↬• Hazrat Farmate they- islam Ka ek hukm Wo ek Karkhaane ki badi Masheen ke ek ese Purje ka naam hai Jiske bager Wo Masheen Koi faayda nahi deti _,"*
★• _ *Hazrat farmate they - Jab Musalman Ka Deen Naakis hoga to Nata'ij bhi Naakis honge _,*
"_ Log yaha'n aa kar Shikayat karte hai'n ,Namaz bhi padhta hu'n ,Roza bhi rakhta hu'n fir bhi ye Halaat hai'n ,
★• _  *Hazrat Farmate they- Ek Halaat aate hai'n Bedeeni ki vajah se ,Ek Halaat aate hai'n Naakis Deen ki vajah se _,*
★• _ Imaan Ka Sabse Pehla Taqaza aur imaan ki Sabse Buniyadi alaamat Wo ita'at hai aur ita'at Muhabbat ke bager nahi hoti k ita'at Wo karta Hai Jiska Dil Muhabbat se labrez ho , isliye maine arz Kiya k Musalman ki Zaahiri Soorat batla degi k iska Dil kidhar maa'il hai ,
★• _ imaan Ka Taqaza ye hai k Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke hukm ko is tarah poora Kare k iske poora karne mai koi Rukawat na bane , Sa'ad Raziyallahu Anhu se qaum ke khilaf faisla karwaya , Sa'ad Raziyallahu ne qaum ke khilaf faisla Kar ke dikhaya , Saari qaum Muntazir thi k hamare Haq mai faisla karenge , Lekin Allah aur Uske Rasool ki Muhabbat mai qaum ke khilaf faisla Kiya hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Itteba e Sunnat se- Musalman Ki imtiyazi Shaan,*
*↬• Is Waqt hamara Haal ye hai k qadam qadam per Subeh Shaam Koi shoba esa nahi hoga Jis Shobe mai Musalman ke itteba e Sunnat Ka imtihaan na ho raha ho ,
★• _ Allah mujhe maaf farmaye - Aksariyat Aksariyat fail hai , Sunnat hai Farz thode hi hai , Halanki itteba e Sunnat ke bager Musalman ko  imtiyazi Shaan haasil nahi ho sakti , Musalman ki imtiyazi Shaan Sirf itteba e Sunnat mai Hai ,
★• _  Wo Agyaar ( Gair Log ) Jo Apni riwayato ko nahi chhodte Agar qanoon Unki Rivayat karta Hai to Wo Allah ke Bande Jinko Allah ne Saari makhlooq per gaalib karne ke Vaade ke Saath Ahkaam diye hai'n ,Kya Qawaneen inke taabe nahi honge ? Kya inki Riyayat nahi hogi , Wo Agyaar Jo Apni Riwayato per baqi rehte hai'n qanoon inki Riyayat karta Hai, Lekin Wo Musalman Jisko Allah ne itteba e Sunnat Ka Mukammal Nizaam diya hai agar ye itteba e Sunnat per nahi hai to isko har qanoon ,har mushkil mai Magloob ho Kar rehna padega ,
★• _ Mai'n arz Kar chuka hu'n - Gair us Deen ko mitayenge Musalman Jis Deen ko bigaad chuka hoga , isliye Takeed se arz kar raha hu'n k itteba e Sunnat Nusrat aur Madad ke liye ek  Buniyadi Shart hai , Saare A'amaal A'ala darje ke , ikhlaas A'ala darje Ka , ibaadat A'ala darje ki , Dushman ke muqable per fatah nahi ho rahi Hai, Aakhir Kya vajah hai ,Beth kar sochna chahiye, Subeh se Shaam ho gayi hai ,Fatah nahi ho rahi Hai Zara gor to Karo , Maloom huwa k miswaak nahi ki hai ,
★• _Jo Allah wale Hote hai'n wo Fatah na hone ( Nakaam hone ) ki vujuhaat A'amaal mai talash karte hai'n, Jo Allah ko nahi maante ,Jo zaahir parast Hote hai'n Wo Fatah na hone ( Nakaam hone ) ki vujuhaat Asbaab mai talash karte hai'n , Ye Farq hai Allah ko maanne wale aur Allah ko na maanne wale Ka ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Musalman Ki Amali Zindgi- Doosro Ki Hidayat Ka Zariya Hai,*
↬• Imaan Apni Sifaat Ke Saath hai , imaan Koi daava nahi hai ,imaan Koi qaum nahi Hai, Islam kisi Jhande Ka Naam nahi Hai,
★• _ Islam ek Musalman ki Esi Kaamil aur Mukammal Zindgi Ka naam hai Jisko dekh Lena Sirf dekh Lena Khuda ki qasam Hidayat ke liye Kaafi hai , Musalman ki Sabse badi Dawat ,Saare Zaraye ,Nashro isha'at ke Nizaam se hat Kar Sirf ek Musalman ki Apni Amali Zindgi Wo ek Allah ko na maanne wale ki Hidayat ke liye Kaafi Hai ,Kaafi hi nahi balki Yaqeeni hai ,
★• _ Mushahide Ka Deen Pesh Karna Ye Momin ki Zimmedari nahi Hai , Maamlaat Ka Deen Pesh Karo , Jab Tak Musalman ki Zindgi mai Kamaal nahi hoga us Waqt Tak Baatil ki Zindgi mai Tangi nazar nahi aayegi ,
*★• _ Baatil Ki Zindgi ki Tangi Wo Musalman ke Deen Ke Kamaal mai hai , Agar Makhloot ho Kar rehne Ka mizaaj ban gaya Hai to fir Allah Rabbul izzat- Hazrat farmate they fir Allah Rabbul izzat sabke Saath Maamla barabar Ka karenge ,*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Musalman Ki imtiyazi Shaan-Taqwa,*
↬• Musalman Ki imtiyazi Shaan Wo Taqwe ke bager nahi hai , Allah Ta'ala ne Shart Lagayi Hai- Agar tumme Taqwa hai to Allah Ta'ala Tumhe Gairo se chhaant Kar Alag karenge,
★• _ Imaan Apni Alaamato aur Sifaato ke Saath hai , Sabse Zyada Asaan sifaate imaaniya ko samajhne ke liye Hazrat ne ek Waqi'a Hayatus Sahaba mai Naqal Kiya hai -
★• _ Saat Aadmiyo ki jama'at Aapki khidmat mai Haazir Hui , Rivayat mai Hai,Wo khud farmate hai'n k Hamare Sar se Payr Tak Huliye ko dekh Kar hi Aap Sallallahu Alaihivasallam samajh Gaye k hum imaan wale hai'n ,
"_Farmaya Tum Kya ho ? Arz Kiya hum imaan wale hai'n ,
Farmaya Tumhare imaan ki Kya Alaamat hai ?
Arz Kiya k hamare andar 15 Khaslate hai'n ,10 Ka Hume Aapki Jama'ato ne hukm diya hai aur 5 humme Zamana e Jahiliyat se hai ,
Aapne farmaya k Wo 10 Kya Hai ?
Arz Kiya 5 per hamara Yaqeen hai aur 5 hamare Amal mai hai'n ,
Farmaya Wo 5 Kya hai'n Jin per Tumhara Yaqeen hai ?
Sabse Pehli Baat ye Kahi k hum imaan laye Allah per, Uske Farishto per ,Uski Kitaabo per ,Uske Rasoolo per , Akhirat ke din per ,
★• _ Aapne farmaya Wo 5 Kya hai'n Jin per Tumhara Amal hai ?
Arz Kiya - hum Sabse pehle Gawahi dete hai'n is Baat ki k Allah ke Siva koi ibaadat Ke laa'iq nahi aur Hum Namaz qaa'im karte hai'n aur Ramzan ke Roze Rakhte hai'n ,Baitullaah Ka hajj karte hai'n aur Zakaat Ada karte hai'n, 
*★• _ Ajeeb Baat hai ,Wo Jaante they k Zindgi Ka Kamaal Namaz ke Kamaal mai hai aur Waaqa'i Haqeeqat hai Jiski Namaz mai Kamaal hoga Uski Zindgi mai Uske Deen mai Kamaal hoga , Farmaya k Jo Namaz ko Durust Kar lega Wo Deen ko Durust Kar lega ,*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Zakaat Ko Ada Karo aur Mustahiq Ko Khud Talash Karo,*
↬• Zakaat Ada na karne wale Apne Bhaiyo'n Ka Haq Khaa rahe, esa Haq Khaa rahe Jesa Apne sage Bhai Ka haq Khaa rahe hai'n,
★• _ Agar Musalman Sirf Zakaat dene per aa Jaye ,Sadqaat to Baad ki Cheez hai Sirf Zakaat Sahi Sahi Tareeqe per Ada Kar de to Duniya mai koi Musalman nanga Bhooka nahi reh Sakta ,isliye farmaya k Zakaat ko Ada Karo aur Mustahiq ko khud talash Karo ,
★• _ *Hazrat Farmate they - Ese mustahiq ko talash Karo Jese ek namazi Aadmi Vaju ke liye Sehra mai Pani talash karta Hai ,*
*"_Hazrat farmate they - Agar ( Musalman ) Zakaat ko Sahi Ada karne per aa Gaye to Zakaat ki barakaat ko bardasht nahi Kar sakte ,itni Zakaat ki barakaat hai'n ,*
★• _ Lekin is Zamane mai Hamara haal ye Hai k Zakaat de Kar hum yu'n samajhte hai'n k ab mujhe Apne Maal mai akhtyar ho gaya Mai'n Jaha'n chaahu Jitna chaahu kharch karu , Maine Maal ko Paak Kar liya hai, Maal Paak isliye nahi hua k isse israaf Kare ,Maal Paak isliye hua hai k Tu isko Paak Kaam mai istemal Kare ,
★• _ Zakaat Ka Maal mustahiq ke liye hai , Zakaat Ka Maal mustahiq ko diya Jaye aur Mustahiq ko talash kiya Jaye ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Zakaat Ada na Karne Per Sakht Wai'yd,*
↬• *"_ Hazrat farmate they - Pehle Zamane mai Zakaat ke dene wale lene wale ese they Jese Bachche Raat Ko khelte hai'n chhip Kar , Ek Bachcha talash karta Hai baqi Bachche chhupe jate hai'n ,Ye talash karne mai poori koshish laga deta Hai ,Thak Jata hai, Ghanto khel chalta Hai , Chhipne wale chhipte rehte hai'n , Jaha'n se koi aata Hai waha se bhaagte hai'n ,
★• _Ye Tha us Zamane mai mamool , is Zamane mai khel Ulta ho gaya hai , Us Zamane mai khel Sahi tha , Fuqra chhipte they Maaldaar talash karte they , is Zamane mai Maaldaar chhipte hai'n Fuqra talash karte hai'n ,
★• _ Khel Ulta ho gaya ,Allah Ta'ala ne Nizaam badal diya ,Fuqra per Fakr Ka darwaza khol diya aur Maldaaro per Barkato Ka darwaza band Kar diya k isne Fuqra se Apne Aapko chhipaya hai ,
★• _ Isliye badi Sakht Wai'yd hai Maal ke bare mai , Farmaya - Ye Zakaat Ada nahi Karega Apne maalo ki , inki peshaniyo'n ko pehle daaga jayega Kyu mustahiq ke paas khud le Kar nahi Gaye Maal ek jurm to ye hai , uska fakaa uski Tangi use agar utha Kar Tumhare paas le aayi to use dekh Kar  tumhari peshani per Bal aa Gaye , isliye Qur'an ne kaha pehle hum peshaniyo'n ko daagenge ,
★• _ Usne Zyada Sawal Kiya zyada israar Kiya to isne usse pehlu fer liya , Fir hum iske pehluo'n ko daagenge , Usne Zyada Sawal Kiya zyada israar Kiya, Ye Maaldaar uth Kar ( peeth fer Kar ) Chala gaya , fir hum inki peetho ko daagenge , Us Maal ko tapa Kar Jisko isne Apna khazana bana Kar rakha hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Sahaba Kiraam Ke Maal Ke Masarif Dekho,*
↬• Dil ye chahta hai , Khuda ki qasam Dil ye Chahta Hai k Zara pichhe Hat Kar Sahaba Kiraam Ke Maal ke Masarif dekho k Sahaba Maal Kaha'n Kharch karte they ,
★• _ Sahaba Ke Maal Ke Kya Masarif they - Agar gor Kiya Jaye to Sirf Do masraf Milte Hai'n Sahaba ke Maal ke , Ek Sabse Pehla masraf Allah ke Raaste ki Naqal harkat per Maal kharch Karna , Ye to esa Masraf hai k Qur'an ne ye kaha k is Raaste ki Naqal harkat per Maal kharch karne mai kami na Karna , agar is Raaste ki Naqal harkat per Maal kharch karne mai kami ki to Apne Aapko halaakat mai khud daaloge ,
★• _ Hazrat Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu khud farma rahe hai'n k ye Aayat us Waqt naazil Hui thi jab humne 6 mahina Madine mai rehna Tay Kar liya tha k 6 Mahine Madine mai rahenge Baahar nahi niklenge, 6 Mahine Baad jaha Chahe bhej de , Sirf 6 Mahine Naqal harkat ko band Karna chahte hai'n, Ye nahi Kaha tha k kisi beva ko , kisi miskeen ko ,kisi Musafir ko ,kisi saa'il ko ,darwaze per aane wale Faqeer per Maal kharch nahi karenge , ye nahi Kaha tha, Madine mai 6 Mahine rehna Tay Kiya tha k 6 Mahine hanara khurooj na ho ,Allah ne Ansar ke is iraade per Aayat Naazil farmayi ,
★• _ Ek Shakhs Dushman ki saf mai dakhil hua aur dakhil ho Kar waapas nikal aaya , log cheekh uthe ,Apne Aapko halaakat mai daal raha hai Allah ne mana farmaya hai ,
*__Farmate hai'n ( Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu ) k Tumne Qur'an ko abhi se badal diya , Tumne Aayat yaha Kyu padi hai , iska Matlab hum Jaante hai'n Humse puchho ,Ye Aayat hum Ansare Madina ke bare mai Naazil Hui thi Jab humne Tay kiya Tha 6 Mahine Baahar na niklenge ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*ILM Ke Taqazo Per Paak Maal Kharch Karo _,*
↬• Maine arz Kiya k Sahaba Kiraam Ke Maal Ka Sabse Pehla masraf Allah ke Raaste ki Naqal harkat per Maal kharch Karna hai ,
★• _ Iske Baad Aham masraf Maal ke kharch karne Ka Wo Ummat ko ilm Pahunchana isliye k Naqal harkat aur Khurooj tha hi is maqsad ke liye k Ummat Jahaalat se nikle ,
★• _ Dil ye Chahta Hai k Maal ka Jo hissa Paak Kar dete ho Zakaat de Kar , is Pakiza Maal ko to Pakiza Kaam per kharch Karo , Khuda ki qasam ilm se Paak Cheez koi nahi Hai , ilm hi mutahir hai , ilm se bad Kar Paak karne wali koi Cheez nahi Hai , aur ilm se bad Kar Khuda ki qasam Nijaat dene wali koi Cheez nahi hai ,
★• _ Sabse bada masraf Maal Ka Wo ilm hai , Musalmano ki Jismani zaruriyaat per to Gair bhi Maal kharch Kar denge ,Kuchh muqaami Riyayat Kar denge , koi free Ka Paani laga dega , koi Kambal taqseem Kar dega , koi Bimaari ke liye dawa taqseem Kar dega ,Koi haadsa pesh aa Jaye to Musalmano ki madad ke liye gair bhi khade ho jayenge , Lekin ye Baat Yaad rakho k ilm Wo fariza hai Jisme T'awuz Sirf Musalman karega ,
★• _ Mai'n to Hayraan hota hu'n jab sunta hu'n k kisi ilm ke Taqaze ke liye kisi ke darwaze per Jaa Kar Kahe k ye zarurat hai , Mai'n samajhta hu'n k Jinko Allah ne Maal diya hai Uski gairat ke liye itna Kaafi Hai k Tumne ilm ki zarurat ke liye khud Mehsoos Kar ke ilm ke Taqazo ko Apna mohsin samajh Kar Maal Kyu na Laa Kar pesh kiya , Kyu na kaha k idaare ki zaruriyaat mere zimme hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*ILM se Zyada Ragbat Aaj Duniya Ke Funoon Ki Hai,*
↬• Agar Maaldaar talibe ilm Hote ,agar Maaldaar ilm ki Talab rakhte to Daure Sahaba mai Ye milta hai k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke ek Waqt mai 9 gharane in 9 gharo mai Rozana taza gosht Pahunchana  talba e Suffa Ka mamool ,
★• _ Talba e Suffa Jo Din bhar jaa Kar Lakdiya'n kaat te they Jangal mai aur Patthar taiyaar karte they tod Kar , Unhe Laa Kar Mohalle mai bechte they ,Usse Jo Aamdani hoti thi usse Bakri khareedte they aur Jibah Kar ke Azwaaje Mutahraat ke gharo mai gosht Pahunchate they ,
★• _ inse Abu Huraira Jese muhaddis taiyaar Hote they , Abdullah bin Ka'ab Jese Qur'a taiyaar Hote they , ilm per kharch karne Ka mizaaj nahi Hai , Mai'n Hayraan hota hu'n jab Maal Ka Mel se Aadmi kitaabe Laa Kar ye samajhta hai Mera ahsaaan hai , .. Ye Ek mustahiq Ka haq hai , iski Tehqeeq Kar ke khud us Tak Pahunchana ye Maaldaar ki Zimmedari hai ,
★• _ Mamool ye chal raha Hai k Maal ka Mel khair ke Kaam per aur Pakiza Maal Shadiyo'n per , Furnituro per , Zarurat se zyada israaf per , Fuqra mai firo , Gurba ke darmiyan jao , Maal ke Masarif nazar aayenge aur agar Apne se ouper wale ke darmiyan Jaoge to Unki satah per Maal kharch karne ke liye Unki satah ki Shadiya'n ,Unki Satah Ka Libaas , Unki Satah ki Zindgi Ka Maiyaar guzaarne ke liye ise Apne Maal Ka Sabse Pehla masraf ye nazar aayega k Maal Yaha kharch Kiya Jaye ,
★• _ isliye maine arz Kiya k Dil ye Chahta Hai k Deen Ke shobo ko is ( Maal ke )  Taqaze se faarig Kar do k Wo ilme ilaahi ke seekhne mai Ese mashgool ho aur idaare mai Ese mashgool ho k Unko zaruriyaat ke poora karne wale Ka pata na chale k Kaha'n se zarurat poori ki hai ,
*"__isliye arz Kiya k Do Masraf Sahaba Kiraam Ke milenge ek Dawat illallaah Doosra Taleem , Maine Bahut gor Kiya k Duniya ke Funoon per Maal zyada kharch hota Hai ya Deeni Uloom per Maal zyada kharch hota Hai , Ek Aadmi Apni zaat se Doctor banne ke liye , Engineer banne ke liye Aap Jaante hai'n kitna kharch karta Hai Khuda ki qasam itna kharch karta Hai k Baaz martaba Doctor ban Kar Doctori karte saal ha saal guzar Jate hai'n Doctor banne Ka qarza Ada nahi hota , isse maloom hota Hai k ilm se zyada Ragbat Duniya ke Funoon ki hai ,*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*,Sabr aur Shukr*
↬• Arz Kiya k 5 baate hamare andar hai Jis per hum Amal karte hai'n ,( Shahadat ki ) Gawahi dete hai'n , Namaz qaa'im karte hai'n , Ramzan ke Roze Rakhte hai'n Baitullaah Ka hajj karte hai'n , Zakaat Ada karte hai'n ,
★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya Wo 5 Kya Hai Jo Tumhare andar Zamana e Jahiliyat se hai , farmaya hamare andar Sabr hai , Hamare andar Shukr hai... , Allah ki Shaan Sabr ek Esi Sifat hai Jo Aadha imaan hai , Shukr Aadha imaan hai ,imaan to Kaamil yahi ho jata Hai ,
★• _ Sabr aur Shukr Ka Matlab ko samajhte ho ? Sabr Ka haal to ye hai k aane wale Halaat ko bardasht Kar ke Halaat ko badalne Ka intezar Karna ye koi Sabr Ka Matlab nahi hai, Sabr kehte hai'n Allah Ta'ala ke Ahkaam per jamna Halaat ke muqable mai , Roze ko Sabr farmaya hai Kyunki ye hukm Bahut se taqazo se rok deta Hai , Aur Ni'amato mai Allah ki ita'at per jamna aur uski ibaadat mai zyadti Karna ye Shukr hai ,
★• _ Farmaya k hamare andar Sabr hai, hamare andar Shukr hai aur Ek Sifat hamare andar ye hai k Hum Jis Baat ko tay Kar lete hai'n usse pichhe nahi hat te Apni Baat mai jamne wale hai'n , ek hamare andar ye Sifat hai k hum Allah ke har Faisle se raazi rehte hai'n , ek Sifat hamare andar ye hai k hum Apne Dushman per aane wali musibat se Khush nahi Hote , Waaqa'i ye bahut Aham Sifat hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Inteqaam Ke Jazbe Se Islam Samjhana Mumkin Nahi,*
↬• Jab Tak Musalman ke Jazbaat Saari insaniyat ke bare mai Wo nahi honge Jo Jazbaat Sahaba Kiraam Ke they us Waqt Tak islam Ka Tarruf nahi ho Sakta ,
★• _ Yaad rakhna Inteqaam Ke Jazbe Se Islam Samjhana Mumkin Nahi hai aur Inteqaam Ke Jazbe Se Islam Ka failna Mumkin Nahi hai , Sahaba Kiraam Ke gaalib aane ki waahid Sifat ye thi k Sahaba Ke quloob do cheezo se Khaali kiye Gaye they ,Ek Gairo ke mulko Maal ki hirs na na ho aur Doosre Gairo se Inteqaam Ka Jazba na ho ,
★• _ Agar Khuda na Kare Dil Ke kisi goshe mai in do cheezo mai se ek Cheez bhi zarre ke barabar bhi mojood hai to Yaad rakhna kabhi ye galba haasil nahi hoga , Musalman ke gaalib aane ke liye do Sharte hai'n Ek to Unki Hidayat ki tamanna ke alawa koi tamanna na ho ,ek Unke mulko Maal ki hirs na ho aur zaroori Baat ye hai k Dilo'n mai Inteqaam Ka Jazba na ho ,
★• _ Isliye Islam Ka Tarruf Deen Ke Tamaam Shobo mai Jo hoga Wo itteba e Sunnat se hoga ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Ek Yahoodi Ka Qissa,*
↬• Islam sirf ibaadat Tak mehdood nahi Hai , balki Musalman ko iska Paband Kiya gaya Tha k agar Haq gair Ka hai to tujhe Gairo ke Saath maamla Apne se Behtar Karna hoga ,
★• _ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ( Apne Daure Khilafat Mmai ) Bazaar mai nikle , dekha k Ek Yahoodi Zira bech raha hai , farmaya Yahoodi se ye Zira Meri hai , Yahoodi ne kaha - nahi ye Meri hai , Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya Zira Meri hai , Jhagda ho gaya ,Ek taraf Yahoodi aur ek taraf Ameerul Momineen , Farmaya Chalo Adalat mai ,
★• _ Masla Adalat mai gaya ,Ali Raziyallahu Anhu khud tashreef le gaye , Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko dekh Kar Qazi Apni kursi se niche Beth gaya uth kar , Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko Kursi per bithaya , Puchha Kya Hukm hai ? Aap Kyu tashreef laye ? Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya- Mera Jhagda is Yahoodi se hai , Zira Meri hai ,
★• _ Aap andaza Kare us Adalat Ka Jisme Qazi Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Ka banaya hua ,Qazi niche betha hai Yahoodi ke Saath , Yahoodi sochta hoga Kaha'n fas gaya , Adalat inki ,Qazi inka .. ,
★• _ Qazi ne kaha Ameerul Momineen Aap gawaah pesh Kare , farmaya Mera beta Gawahi dega , Saare jawano ke Jannat ke wo sardaar hai'n , farmaya baat theek hai lekin bete ki gawahi Baap Ke Haq mai mo'tbar nahi , Ameerul Momineen Adalat Ka faisla ye hai k zira Yahoodi ki hai , Faisla ho gaya Ameerul Momineen ke khilaf ,Ek Yahoodi ke Haq mai ek Musalman Judge ke zariye ,
*"__ Jese hi Zira Yahoodi ko mili , Yahoodi ne foran Kalma padha , Musalman hua , Kaha Mai'n Dekhna chahta tha k inki adalato mai Jo Faisle Hote hai'n wo Faisle Ambiya wale Hote hai'n ya Wo Faisle Ambiya ke Tareeqe se hate hue Hote hai'n , Ameerul Momineen ye Zira Aapki hai ,Aapke Ount se giri thi , maine uthayi thi ,
★• _Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Zira us Yahoodi ko hadiya ki ,ek Ghoda Bahut SA maal Diya ,Ye Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Ke Saath hi rahe Aakhir Tak ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Naqal Harkat Ke Zariye Mushahide Ka Deen Pesh Karo,*
↬• Islam Ka aksar hissa Makhlooq Ke darmiyan hai , isliye k Chaar cheezo per Saara Islam hai , ibadaat , Mamlaat , Akhlaaq aur Mashrat , Ek Hissa iske aur Allah ke darmiyan hai baqi teen hisse iske aur Makhlooq Ke darmiyan hai ,
★• _ Is Naqal harkat ke zariye Ummat ko Wo Akhlaaq,Wo Maamlaat ,Wo Maashara Amali Tor per pesh Karna hai , Ye Naqal harkat isliye thi k Musalman Apne Amal mai Reh kar harkat mai aaye Taki Ummat ko Mushahide Ka Deen Pesh Kare ,
★• _ Ilm ki hifazat Beshak ( Ulma e Haq Ki ) Kalam se hai lekin is ilm ki isha'at Qadam chahti hai , Jo kuchh likha gaya Hai us likhe hue per Amal ke liye Ummat ko bheja gaya Hai , isliye Ummat per Amali Deen Pesh Karna ye is Naqal harkat Ka Asal Maqsad hai aur iska koi muqabil nahi ,
★• _ Do cheeze Esi hai'n Jisse Daure Sahaba mai islam faila hai , Ek Allah ke Raaste ki Naqal harkat aur Doosre Ulma e Haq ki majalis ( Sohbat ) , Ye ilm ko Ulma se lete they aur Amal Naqal harkat se ilm ko Ummat Tak pahunchate they ,
★• _ Isliye Baat achchhi tarah jaanni chahiye k Ummat Tak Amali Deen Ke pahunchane ka Jo Buniyadi Sabab hai Buniyadi zariya hai Wo Allah ke Raaste ki Naqal harkat hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Dawat Ke Liye Rivaaji Tareeqe nahi Sunnat Tareeqa Akhtyar Karo ,*
↬• Mujahida insaan ki Sifat hai, iske alawa koi Makhlooq mujahid nahi Hai ,aur Hidayat Ka Vaada mujahide per hai ,
*★• _ Baat ko pahunchane ke Jitne bhi Rivaaji Tareeqe hai'n in Rivaaji Tareeqo se , Maulana Ilyaas Sahab Reh. Farmate they- Rivaaj Taraqqi karenge Deen Taraqqi nahi Karega , Deen ki Taraqqi us Tareeqa e Mehnat mai hai Jo Tareeqa e Mehnat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke Sahaba Ka hai _,*
"__ Kisi ( T V & Video ) Chenal se nahi ,Chenal se Khuda ki qasam na islam kabhi faila hai aur na aainda kabhi failega , isse to Zahan poori tarah hata Dena chahiye Kyunki Hazrat ki Baat hai, Hazrat farmate they - *Jab Haq ko chalane ke liye Baatil Ka Sahara liya jayega to Baatil chalega Haq nahi chalega ,.. Jitne bhi zaraaye hai'n inke andar Rivaaj ki zulmate hai'n aur Khud ja kar Dawat dene mai Khuda ki qasam Sunnat ke Anwaraat hai'n , Sunnat ki aziyate Sirf Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Tareeqa e Dawat mai hai , Us Tareeqa e Dawat se hat Kar Nabuwat ki Line ki Aziyate kisi Rivaaji Tareeqo mai nahi milegi _,*
★• _ Isliye Ummat Tak Deen pahunchane ke liye Jo masnoon tareeqa hai , Aap agar gor karenge to Daure Sahaba mai Sirf do cheeze milengi ,Ek Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Sohbat aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Sohbat ke Baad Aapke Ulma e Haq ki Sohbat  aur Doosri Allah ke Raaste ki Naqal harkat,
★• _ Is Khurooj Ka Asal Maqsad Ummat ko Hidayat ki taraf Lana hai , Sahaba Kiraam Maidane Qitaal mai bhi Dawat ko muqaddam rakhte they Kyunki Sahaba ko Inteqaam Ke Jazbe Se galba nahi mila , Hidayat ke Jazbe Se galba mila hai , ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hazrat Khaalid Bin Waleed Raziyallahu Anhu Ka Jazba,*
↬• Imaam Abu Hanifa Reh. Farmate hai'n k Dawate Wajiba ke pahunchane ke bavjood agar Dushman Muqable per aa Jaye to Maidane Qitaal mai bhi Dawat Dena Mustahab hai_ ," Ye nahi k Dawat Ka Waqt khatm ho gaya ,
★• _ Hazrat Khaalid Bin Waleed Raziyallahu Anhu Dushman ke muqable per , idhar Rom ki fauj , Ek Waqt per hamla hone Wala Hai ,Dono taraf ki safe aamne saamne , Hazrat Khaalid Raziyallahu Anhu ne ( Rom ke Sipahsalaar Se ) farmaya - Ey Jaraza ! Mai'n Tumse Baat Karna chahta hu'n ,
★• _ Jaraza aage bade ,Hazrat Khaalid aage bade , dono ke ghodo ki gardane ese mil gayi , Ahle Rom Samjhe Hamare Sipahsalaar ko Dhoke se qatl Kar denge ,.. Nahi , Momin esa nahi hai, Momin ke bare mai aaya hai k na ye Dhoka dega na ye Dhoka Gairo se khayega ,
★• _ Samajh lete Hazrat Khaalid Bin Waleed Raziyallahu Anhu k zimmedari poori ho gayi , Mai'n tumhe Kya batau'n , Sahaba Khud fir kar Dawat dene ke bavjood ye samajhte they k zimmedari abhi baqi hai ,
*"__ Yaha'n Akhbaar ,Rasaa'il ( aur Aaj Ke daur mai What's app , Facebook ) mai  Paigaam pahuncha Kar samajhte hai'n k zimmedari poori ho gayi , ( Sochte hai'n ) Ek Chenal mil jawe Musalmano ko Jis per yaha'n Bethe Bethe Saari Duniya mai islam ( Ki Dawat ) pahuncha de ,
*★• _ Jab Tak Dawat per nahi aaoge Nabuwat ki Line ki Aziyato per nahi aaoge ,Jab Tak Nabuwat ki Aziyato per nahi aaoge Allah ki Nusrate nahi dekh sakoge _,*
★• _ Hazrat Khaalid Raziyallahu Anhu ne aage badh Kar Jaraza ko islam ki Dawat di ,Ey Jaraza islam le aao , .. Allah to dekhte hai'n k Ek Musalman ke Dil mai Agyaar ke bare mai Kya Jazba hai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hamesha Sahaba Kiraam se farmaya - Tum ek Shakhs ko Musalman Kar ke mere paas lao ,Saari Kaaynaat se zyada ek fard Ka islam le aana Sabse Zyada pasand hai , Aaj ek Musalman ki nazar mai Musalman ki wo qeemat nahi Jo ek Fard ki qeemat Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki uske Hidayat per aane mai Saari Kaaynaat ke muqable mai uski qeemat hai , Ye Jazba banaya gaya Tha ,Allah Ta'ala ne Hazrat Khaalid Raziyallahu Anhu Ke Jazbe ko qubool kiya , Halanki ek doosre ke Khoon ke pyaase bane hue hai'n Lekin Hazrat Khaalid ne Dawat di , Jaraza ne islam qubool kiya ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Dawat Apne Mahol mai Lane Ke Liye Hai,*
↬• Hume is Mulk mai ek Makhloot Abaadi se Jitna islam Ka tarruf karane Ka moqa Mila hai ,Shayad Kisi aur Mulk mai nahi Hai ,
★• _ Kitne makhloot ( Mil Jul Kar Ek Saath ) Zindgi guzaar rahe hai'n Lekin agar ye Makhloot Zindgi Gairo ke Saath Makhloot Maashre mai Dawat illallaah Ke bager hai to iska to Andesha hai k  Khuda na Kare hamara payr Fisal jawe Magar iski Ummeed nahi hai k Wo Raaste ( Hidayat ) per aa jawe ,
★• _ Allah Ta'ala ne esa moqa Diya hai k Agar Musalman Apne Dilo se Inteqaam Ke jazbo ko nikaal Kar Sahaba Kiraam ki tarah Saari insaniyat ke Hidayat ke jazbe ko gaalib Kar le , Unke Mulko Maal ki hirs ko Dilo ki karwato se aur Dilo ki Silwato se aur Dilo ki gehra'iyo se nikaal Kar inki Hidayat Ka mutawalli ho jawe ,Khuda ki qasam Aaj Wo Nusrat nahi Jo Sahaba Kiraam ki Hui Hai usse das ( 10 ) guna Nusrate Momin ki hone wali hai , Apne iraade badalne ki zarurat hai ,Apne Jazbaat badalne ki zarurat hai , Inteqaam Ke Jazbe se Ummat kabhi bani hai na Aa'inda kabhi Banegi ,
★• _ Isliye Akhlaaq aur Maashra dikhane ke liye Dawat Apne Mahol mai Lane Ke Liye thi ,Dawat Paigaam pahunchane ke liye nahi thi ye to is Zamane ki Bid'at hai k islam likh Kar bhej do , Nabi ki Sunnat ye Hai k tum Akhlaaq ( aur Maashra ) le Kar unke Mahol mai jao ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Amal se Amal Zinda Hota Hai,*
↬• Agar Apne Ghar se Masjid  Tak Jate hue ,Sirf Namaz ke liye ja raha , ( Raaste mai logo ko Namaz Ki ) Dawat nahi de raha hai , ( to ye ) na Apno ki Hidayat Ka zariya banega na Gairo ki Hidayat Ka zariya banega ,
★• _ Infiradi A'amaal se islam nahi faila karta , A'amaal e Dawat Hidayat ke Raaste banate hai'n , Amal se Amal Zinda Hota Hai ,
★• _ Apne Mahol mai le kar aana ye mamool Tha Sahaba Kiraam Ka , Musalmano mai esi ijtimaiyat ( thi ) k agar ek Musalman kisi ese Shakhs ko tanha Amaan de de Jisko Sab khatm Karna chahte they ,Wo fard Saare Musalmano ke darmiyan mamoon ho jata Tha ,
"__Lekin ( Aaj )  Musalmano Ka  Apna Aapas Ka intishaar ,Apna Aapas Ka ikhtilaf isne Musalman ko yaha'n pahuncha diya k agar ek Musalman ko Doosra Musalman Aman de de ,maaf Kar de to baqi Musalman maaf nahi karenge ,Aapne maaf Kar Diya kare ,hum maaf nahi karenge ,
★• _( Hazrat Miqdaad Raziyallahu Anhu Amaan de Kar laye Hakam bin Haijaan ko) , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke saamne la Kar pesh Kiya k ye Hakam hai'n ,Apne Kabile ke sardaar hai'n , Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne betha Kar samjhana Shuru Kiya , Khoob Targeeb di ,Khoob samjhaya yaha Tak k der ho gayi , Wo inkaar karte rahe ,Aap Sallallahu Alaihivasallam Dawat dete rahe ,Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko Aap per Raham aa gaya ,isko mere hawale Kar dijiye, ye imaan kabhi nahi layega , 
★• _ Ajeeb Baat hai Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Ka mamool ye Tha k jo Baat Aapko Sahaba ki pasand nahi aati thi Aap usse airaaj Kar liya karte they , aur Sahaba Aapke airaaj se samajh jate they k Humse galti ho gayi , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne airaaj Kar liya Umar Raziyallahu Anhu se,
"__ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n mujhe to agle pichhle khayalaat ne gher liya ,Umar tu Kyu bola tha ? Umar tune Galat kaha hai , Farmate hai'n - Apne Aapko malamat karne laga fir Khayal aaya Maine to Allah ke Rasool ki Muhabbat mai kiya ,Kitna thaka rahe Apne Aapko ek Aadmi ke liye ,Aap Sallallahu Alaihivasallam Dawat dete rahe Yaha'n Tak k Hakam islam le aaye , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Ey Umar ! Agar Mai'n Teri Baat Maan Leta Hakam Jahannam mai jata ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Naqal Harkat Ka Asal Maqsad _,*
↬• Infiradi Dawat aur Akhlaaq aur Musalman ka Mashra ,
★• _ is Naqal harkat Ka Maqsad Kalma Namaz seekhna nahi Tha , Maulana Ilyaas Sahab Reh ka malfooz hai k Meri tehreek Ka maqsad Sirf Kalma Namaz Sahi Karna nahi Hai, Kalma Namaz Ka Durust ho Jana ye to is Raaste ke Khurooj ki Esi ibtidayi Cheez hai Jese Bachcha Alif Ba Ta seekh Leta Hai , Ye to Fara'iz mai se hai Kalma seekho Namaz seekho , is Naqal harkat Ka Asal Maqsad ye Tha k Amali islam le Kar Ummat Ummat mai ghuse _,
★• _ Aap dekh lijiye in Jama'ato ki Naqal harkat se isaar ke ,qurbani ke ,Hamdardi ke , Akhlaaq ke , Achchhe Mamlaat ke , Achchhe Mashre ke Jab A'amaal saamne aate hai'n to maloom hota Hai islam Kya hai ,
★• _ Isliye infiradi Dawat Ke Liye qadam uthaoge to Allah Rabbul izzat is per quloob ko naram farma denge , Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Safare Hijrat mai Do Daakuo'n ko Dawat dene ke liye Aapne wo Raasta akhtyar farmaya , Aap andaza Kare Safare Hijrat hai , Mushrikeen pichhe lage hue hai'n,Aapko pakadne per qatl karne per inaam laga hua hai ,Aap chhip Kar nikle hai'n ,Har taraf Aapki talash mai log daude hue hai'n Aapki adawat mai Kuchh inaam Milne ke shok mai ,in Halaat mai bhi Aapne ye na farmaya k Aman Ka Raasta pakdo , Farmaya Daakuo'n ke Raaste se le Chalo, Sirf unko Dawat dene ke liye, Dono ( Daku ) mile Aapko ,Dono ko Dawat di ,dono ne islam qubool kiya,
★• _isliye mere Azeezo Dosto ! Ye Naqal harkat is maqsad ke liye hai k is Naqal harkat ke zariye Ummat ko Amal ke Mahol mai laya Jaye , is Naqal harkat ke zariye Ummat per Amali islam Pesh kiya Jaye , Ye Musalman ki Zimmedari hai k is Naqal harkat ke zariye Amali Deen le kar fire ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Allah ke Gusse Ko Thanda Karne Wala Amal,*
↬• Isme koi shak nahi k is Raaste mai firna Allah ka Amr hai ,
★•  Aur ye Baat Yaad rakhna hum Jo Khurooj karte hai'n Allah ke Raaste Ka ye Allah ke Amr ki  vajah se karte hai'n ,  "__Jab bhi nikaala Jaye nikal Jao _,"
*★• _ Esa mizaaj banaya gaya Tha Sahaba Kiraam Ka , Ba- qaul Hazrat ke k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Sahaba ko nikaalne mai  Ujr ki koi qism baqi nahi chhodi Jisme Sahaba ko nikaala na ho , Khof mai , Bimaari mai , Khushi mai ,Gam ke halaat mai ,Halaat ki Kharaabi mai ,Koi moqa esa nahi milega Jisme Sahaba ko nikaala na ho ,
★• _ Langde Sahabi hai Amr bin Jamoor Raziyallahu Anhu ,Beto aa Kar kaha Abba ji ko rok lijiye ,Beto se farmaya Jaane do ,Unse farmaya - tum majoor ho , Arz Kiya- Ya Rasulallah ! Sirf itna bata dijiye Jannat mai lannde payr se chalunga ya sahi payr se , Aapne farmaya- Jannat mai Sahi payr se chaloge , Ye nikle Allah ke Raaste mai Shaheed hue , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Meri Aankho ke saamne hai Amr wo Jannat mai Sahi payr se chal raha hai ,
★• _ Isliye mere Azeezo Dosto Sabse Zyada ,Allah ke Gusse ko thanda karne Wala Amal Wo Allah ke Raaste ki Paidal Naqal harkat hai , Jab is Raaste mai paidal chalne se Jahannam Jo Allah ke Gusse ka Sabse bada mazhar hai ,Jab is Raaste ki Naqal harkat se wo Jahannam ki aag Haraam Kar di jati hai to Jo uske Gusse ke mazahir Duniya mai hai'n , Jama'ato ki Naqal harkat se kese khatm nahi honge ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Tauba Ke Liye Nikalne Wale Qatil Ka Waqi'a,*
↬• Is Ummat ki Fazilat aur is Ummat Ka afzal Ummat hona, is Dawat illallaah ki Shart ke Saath hai k Apne Deen ko le kar Harkat mai aana hai ,
★• _ ( Dawat ) Yaqeen ke badalne ka Raasta hai aur yahi Mahol ke badalne ka rassta hai , Yaqeen aur Mahol ki tabdeeli ke liye asal ye Raasta diya gaya Tha , Apne Mahol se nikalna zaroori hai ,
★• _ Aap baarha sunte hai'n- Wo Qatil jisne 99 Qatl kiye ,ek Raahib se ja Kar sawal Kiya - Kya Meri Tauba qubool ho sakti Hai , Usne kaha- tumne 99 qatl kiye hai'n tumhari Tauba qubool na hogi , Usne usko bhi nimta diya , - Kyu ? Jo Shakhs Allah ki Rahmat se mayoos Kare wo rehne ke qabil nahi ,
"__Ajeeb Baat hai - Aalim aur Raahib ka fark dekho ,Jo Ummat se kat Kar Khaaliq ki ibaadat mai tha usne Mayoos Kar Diya k Teri Magfirat nahi hogi , Lekin Aalim Ka Talluq Makhlooq se hota Hai,Allah ke ilm ko logo Tak pahunchane ke liye, ye ilm ke zariye Allah ke Bando ko Allah se Jodna chahta hai ,
★• _ Aalim ke paas gaya - Kya Meri Tauba qubool ho jayegi ? Aalim ne kaha - Tauba qubool ho jayegi lekin Aap Apni Basti Chhod Kar nikal Jaye , Rivayat per gor Karo - Ye nahi Kaha - Jaiye Allah maaf Kar denge Tauba Kar lijiye,  Ulma ne likha hai k - Apne Raaste ( Mahol ) ko Chhod Kar nikalna ye Tauba Ke andar pukhtgi paida Karna hai , Gunaah ke Mahol mai Reh kar istigfaar karna gunaah ki zulmato se Tauba ke Kamaal Tak nahi Pahunchne deta ,Yahi vajah hai k Subeh Shaam Tauba karte hai'n aur Subeh Shaam Gunaah karte hai'n ,Tauba mai pukhtgi paida hoti hai jab Aadmi gunaah ke mahol se nikal Kar Bahar aata hai ,Sahaba ne Shirk ki zulmato ko imaan ke Mahol mai aa Kar samjha hai ,Hum Gunaah ki zulmato ko gunaah ke mahol se nikal Kar samjhenge ,
★• _ Ye nikla aur nikalte hi maut aa gayi , Jaha'n se nikla hai Uske qareeb maut aayi hai, Jaha'n ja raha hai pahuncha nahi hai ,Allah ne Zameen se farmaya tu simat ja , Farishto se farmaya naap ke dekh lo kis jagah ke qareeb hai , Allah ki Shaan ,Allah ne iske qadam uthane per iski magfirat ka faisla farma diya ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Ummat Ki Naqal Harkat Jaari Paani Hai,*
↬• Maulana Ilyaas Sahab Reh. Farmate they - Khurooj aur Naqal harkat ye to magfirat ka Yaqeeni Raasta hai ,
★• _Is Ummat ko mutaharrik banaya gaya Tha , ese Faza'il hai'n Khurooj aur Naqal harkat ke k Ummat Qayamat Tak Chen se beth na sake , Tablig madarsa nahi hai Jisme taleem Kar ke faragat haasil ho Jaye , Balki Naqal harkat Ummat ko Hidayat per laane aur khud Apne A'amaal mai Kamaal paida karne ke liye hai ,
★• _ Hazrat ka malfooz hai ,Ajeeb Baat Farmayi - Magfirat- Allah ke Raaste mai ek martaba sar Dard ho Jaye pichhle Saare Gunaah Maaf Kar diye Jate hai'n , Allah ke Raaste mai paidal chalna aag ko Haraam Kar deta Hai ,Allah ke Raaste mai maut aa Jaye to kehna ho Kya - farmaya Jaha'n mara hai Waha'n se nikalne ki jagah ke darmiyan ek moti ka Mahal taraash Kar Allah Mahal ata farmate hai'n ,itna bada moti k Jaha'n se nikla hai Jaha'n aa Kar mara hai ,
"__Balki isse aage yu farmaya - agar Allah ke Deen Ke taqazo per Uske Deen ko Samundar paar pahunchane ke liye ye Fazilat bayan ki hai Taki log ye na samjhe k jaha'n Tak khushki hai Waha'n Tak Chalo , Farmaya -  Jo Allah ke Deen Ke paiga ko le Kar Samundar se bhi safar karta Hai aur Maut aa Jaye to Allah Ta'ala Farishto se farmate hai'n iski rooh tum nahi nikaloge iski rooh mai khud nikalunga ( Allahu Akbar )
★• _ Ye Faza'il kyu bataye gaye they - Taki Ummat mutaharrik rahe , Ummat ki Naqal harkat jaari pani ki tarah hai ,Jaari Pani paak rehta Hai ,Paak karta Hai, isi tarah Ummat ki Naqal harkat Ummat ki taharat ka Ummat ke liye magfirat ka , Ummat ke liye tazkiye ka , Hidayat Ka Buniyadi zariya hai,
★• _ Ye Ummat ummate Muhammadiya hai , is Ummat ki Zimmedari ba aitbaar Aalam ke hai ,Ye Ummat Apni zaat se nahi hai ,ye Ummat Ummat hai ba aitbaar Ummat hai , Saari Duniya ke Musalman ek ek Jism ke A'aza ki tarah hai ,Payr ka Zakhm payr ka nahi hai Khuda ki qasam ye iske poore Badan se mutalliq Zakhm hai , is Zakhm se poora Badan mutassir hoga , Ek ilaaqe ki Bedeeni se poora Aalam mutassir ho ,is Hadees ka asal mafhoom hai , isliye poora majma iska azm Kare k is Kaam ko Kaam bana Kar rehna hai ba aitbaar Aalam ke Deen qaa'im ho ,ye is Ummat ki Zimmedari hai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki niyabat mai Ummat ko ye Kaam ba aitbaar Aalam ke hai , ( Alhamdulillah )
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★•   in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
 *Hazrat Maulana Sa'ad Sahab DB_( 24-02-2018 ) Aurangabad ijtima-2018),*.
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Khair Ka Moqa Qubuliyat Ka Imtihaan,*
↬• Allah Ta'ala Ka ye dastoor hai k Wo har Zamane mai Apne Bando ko Apne Deen Ke qaa'im karne Ka ek moqa ata farmate hai'n ,
★• _ Ye moqa Qubuliyat ki Alaamat nahi hota , Kisi khair Ka moqa mil Jana ye Qubuliyat ki Alaamat nahi hai balki ye moqa  Qubuliyat ke imtihaan ka hota Hai ,
★• _ Is imtihaan mai Jo Apni zaat ki har aitbaar se nafi Kar ke Allah Ta'ala ke awaamir ko Yaqeen ki buniyaad per qubool Kar leta Hai Wo to Allah Rabbul izzat ke yaha'n Nabuwat ke kaam ke liye khalifa muntakhab Kar liya Jata hai ,
★• _ Aur Jo is imtihaan mai fayl ho jata Hai bavjood qurb ke , bavjood qadawat ke ,bavjood qurbaniyo ke , bavjood ek arsa is Zimmedari mai chalne ke wo bade ounche darje aur bade muqaam se gira diya Jata hai , Allah hum Sab ki hifazat farmaye ,( Aameen )
★• _ Allah Rabbul izzat ek ek fard Ka barahe raast imtihaan lete hai'n k is Kaam mai ye chal raha Hai , Jo Zimmedari is per daali gayi hai ,is Zimmedari ke Ada karne mai is khud ba Zaate khud Apne Kaam per Yaqeen kitna hai ? Imtihaan kisi naye Aadmi ka nahi imtihaan purano ka liya Jata hai aur imtihaan door wale ka nahi qareeb wale ka liya Jata hai aur imtihaan kisi Chhote Kaam karne wale Ka nahi bada Kaam karne wale Ka liya Jata hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Ek Sahabi Ke Yaqeen Ka Sakht imtihaan,*
↬• Humme se har aan har ek us Zimmedari ke Yaqeen Ka Mohtaaj hai Jo Zimmedari Allah Ta'ala ne Kisi bhi tarah ki daali hai ,agar Zara bhi khayanat Hui to ye khayanat badi khayro se mehroom karne wali aur bade ounche darjo se gira dene wali hogi ,
★• _ Ek Sahabi they Abdullah bin Sa'ad bin Sarah ,likhna padhna jaante they , Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam per jo Wahih aati thi Aap Sallallahu Alaihivasallam us Wahih ko likhwane ke liye Bahut se qatib they Unme se ye bhi they , Ye koi mamooli kaam nahi hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai Beth Kar Wahih ke Aasaar ko dekhna aur Wahih ke poora hone ke baad Aapke farmane ke mutabiq us Wahih ko likhna ye koi mamooli kaam nahi, isliye k usse likhwaya jata Hai Jo itntehayi  mo'tbar aur intehayi Amanatdaar ho ,
★• _ Mai'n ek Misaal de raha hu'n , ye samjhane ke liye k har aan har Lamha humme se har ek us Zimmedari ke Yaqeen Ka Mohtaaj hai Jo Zimmedari Allah ne Kisi bhi tarah ki daali hai agar Zara bhi kahi khayanat Hui to ye khayanat badi khayro se mehroom karne wali aur bade darjo se gira dene wali hogi,
★• _ Allah Ta'ala ne Muhammad Sallallahu Alaihivasallam per insaan ki takhleeq ko , insaan Ke paida karne ke marahil Qur'an mai farmaye aur iske Mukhtalif marahil Allah ne Bayan farmaye , Allah ne farmaya- Allah ki zaat badi ba Barkat hai Jo Sabse Achchha banane wali hai. " Allah Ta'ala ne imtihaan liya ab Tak Wahih likhte aaye hai'n, ek Zamana ho gaya hai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Sohbat mai hai'n , Ye bhi to dekha Jaye k khud inko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam per aane wali Wahih ka khud kitna yaqeen hai ,Kahi ye to nahi k Mai'n to is darje Ka Aadmi hu'n k Wahih likhta hu'n , Sahaba Kiraam Apne ikhlaas ki vajah se itna darte they k agar kisi ko koi mamooli kaam bhi de diya Jata uska Khof aur uska Dar Allah Ta'ala ki taraf se uski Khaas nusrat ka zariya tha ,
★• _ Allah ka Nizaam hai unhi alfaz ki Aap per Wahih ki ,Unhi alfaz ko sahabi ki Zubaan per Jaari Kiya k Hum dekhna chahte hai'n Apni Baat per Yaqeen hai k hamari Wahih per Yaqeen hai , Ye Sahabi Wahih likhte likhte khud bol pade - fa tabarakallazi ahsanul khaliqeen , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- mujh per ye bhi Wahih aayi hai ye bhi likho ,
"__ Sahabi shak mai pad gaye k ye to Mai'n Keh raha hu'n ,ye to Maine kaha hai , Aapne farmaya nahi mujh per Wahih aayi hai isko likho , Sahabi ne kaha ye to Maine kaha hai , is shak mai pad Kar Sahabi ne ye kaha - Aasmano se koi Wahih nahi aati Jiski koi Baat achchhi lagti hai likhwa dete hai'n , Aapne Bahut samjhaya lekin samajh mai na aaya ,Apni zaat per Aitmaad,Apni Baat per Yaqeen Nabi ki Wahih se bad Kar , Sirf do harf ,Sirf do lafz Allah ne inki Zubaan per Jaari kiye Jo unke murtad hone aur Nabuwat Ka daava karne ke liye Kaafi ho gaye ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Imtihaan Ke Zariye Apne Aapko Qubool Karwana Hai,*
↬• Koi kitna bhi aage bad jaye ,koi kitna bhi purana ho Jaye Khuda ki qasam imtihaan liye bager Allah kisi ko nahi chhodenge ,
★• _ Jab ek Wahih likhne wale Sahabi ese Sakht imtihaan se guzar sakte hai'n Jaha'n aa Kar Aadmi Pareshan ho Jaye k isko Aapki Wahih Yaqeen karu ya Apni Baat Yaqeen karu,  isse andaza Kar lo fir hamari Kya haisiyat hai ,?
★• _ Allah Rabbul izzat khayr ka moqa dete hai'n ye Qubuliyat ki Alaamat nahi hai balki ye imtihaan ka Zamana hai , is imtihaan ke zariye Apne Aapko Allah ke yaha'n qubool karwana hai ,
★• _ Ibrahim Alaihissalam ne is tarah ke Tamaam imtihanaat mai Kamaal ko pahunch Kar dikhaya , Do line se Allah Ta'ala ne Ibrahim Alaihissalam ko imtihaan mai mubtila Kiya - Ek Ahkaame Shari'at mai aur Doosra imtihaan Ahkaame Dawat mai , Ibrahim Alaihissalam ne dono aitbaar se hukm poora Kar ke dikhlaya , Allah ne farmaya - ab hum tumhe imaam muntakhab karte hai'n ,
★• _ Is ibtila mai jo Ahkaam aayenge wo kabhi haisiyat ke khilaf ,Kabhi Ahkaam aayenge mamool ke khilaf ,kabhi Ahkaam aayenge Apne Achchhe jazbe ke khilaf , imtihaan ka silsila Allah Rabbul izzat ka ouper se chal raha hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Allah aur Nabi Ke Hukm ka inkaar,*

↬• Sabse Zyada Allah Ta'ala ke muqarrab aur Nek Bande Wo Malaa'ika hai'n , 

★• _ Allah Ta'ala ne imtihaan liya aur hukm Diya k Aadam ko sajda Kare , Sabne Sajda Kiya Sivaye Iblees ke , Allah ke Amr Ka inkaar Kiya aur ye inkaar Allah ka inkaar nahi Hai Uske Amr Ka inkaar hai , Yaad rakho Allah ka Hukm aur Nabi ka Hukm wo Agarche ek mamooli Cheez ke liye ho Lekin agar batore kibr ke kisi hukm Ka inkaar kar diya, inkaar nahi Kiya balki jhoota ujr bhi pesh Kar diya to ye mehroomi ke liye Kaafi Hai ,

★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke Saath ek Sahab khana kha rahe they, Baaye haath se luqma liya ,Aapne farmaya daaye haath se Khaao , Baaz martaba Baaz tabiyate esi hoti hai'n k agar unhe kisi galat Kaam se roka Jaye to unko ye rokna itna nagawaar hota Hai k Wo koi jhoota ujr pesh Kar dete hai'n ye batane ke liye k Aapne mujhe Jo toka hai galat toka hai , Mai'n majoor hu'n ,

★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- daaye haath se Khaao , Use ye khayal hua k Mujhe sabke saamne kyu tok diya ,Usne ujr pesh Kiya , ujr isliye pesh kiya Taki Aapka tokna be asar ho Jaye , inhone is Amr ko hakeer samajh Kar kaha k Mera daaya haath uthta nahi hai , Rivayat mai Hai k Aapne bad Dua di ,Aapne farmaya- Allah Kare tera ye haath Aa'inda kabhi na uthe , Rivayat mai Hai k usko daaye haath se khane se Sirf takabbur ne roka tha Varna ujr Koi nahi Tha ,

★• _ Ye koi farj nahi hai ,Waajib nahi Hai baaye haath se khana koi Kabeera gunaah nahi hai lekin isme Koi shak nahi hai k khilafe Sunnat hai aur khilafe Sunnat hona hi khilafe Deen hai , Khilafe Sunnat Amal hona Deen ki mukhalfat ke liye Kaafi Hai , Fara'iz se ikhtilaf to Kufr ki Alaamat hai lekin Sunnat ki mukhalfat Asal be Deeni hai , Kitne hi Kaam ese hai'n jinhe karne ko kaha Jata hai aur hum hum halka samajh Kar chhod dete hai'n, Agar Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke ek daaye haath se khane ki Sunnat Ka bhi ye Keh Kar inkaar Kare k is Waqt Mai'n ye nahi Kar Sakta aur ye Apne ujr mai jhoota ho to mere Dosto Azeezo Jo Bad Dua mehroomi us Waqt hai Wo mehroomi us Waqt ke liye nahi hai Hamesha ke liye hai ,Ye bahut gor karne ki Baat hai,itteba e Sunnat koi mamooli Cheez nahi hai ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Apne ko Tokne Wale Taiyaar Karo ,*

↬• Allah mujhe maaf farmaye Ye Aam mizaaj hai is Waqt k agar kisi ko galti per roka Jata hai  ,toka jata hai to Wo koshish karta Hai k koi esa ujr pesh karu Jisse Tokne wale ka tokna galat Saabit ho Jaye , 

★• _ Halanki ek Aadmi ke ikhlaas aur ek Aadmi ke Allah ke yaha'n maqbool hone ki Alaamat hai k tokne wale ko Aapna mohsin samjhe balki Apne ko Tokne wale log taiyaar Kar ke rakhe k agar mujhse khata ho to mujhe tok diya Jaye ,isliye k mukhlis Aadmi ki Alaamat ye Hai k tokne wale ko Apna mohsin samjhega aur Riyakaar tokne wale ko Apna Dushman samjhega aur tareef karne wale ko dost samjhega ,

★• _ Hazrat Muawiya Raziyallahu Anhu teen Juma ye Elaan karte rahe k Maal hamara hai , Jisko chahenge denge Jisko chahenge nahi denge , Ye galat elaan teen Juma Tak hota raha Sirf ye dekhne ke liye k Hume tokne wale hai'n ya nahi ,

★• _ Teesre Jume ek bade Miya khade hue ,Kaha - Ey Ameerul Momineen Aap galat kehte hai'n ,Maal Allah aur Uske Rasool ka hai Uske hukm ke mutabiq kharch hoga , Hazrat Muawiya Raziyallahu Anhu ne unko andar bulaya ,takht per bithaya aur ese ikraam se bithaya k khud Unke ahsaan tale dabe hue they ,Farma rahe they- Ey bade Miya Allah Tumhe salamat rakhe ,Tumne mujhe Hayaat bakhshi hai Varna Mai'n mar raha tha is fikr mai k ab hamare andar khayr baqi nahi rahi Kyunki Majme mai koi tokne wala nahi hai ,  
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Iblees Ka inkaar,*

↬• Allah Rabbul izzat hukm dete hai'n aur dekhte hai'n is Hukm ko isne kese poora kiya , 

★• _ Sabne Sajda Kiya Aadam Alaihissalam ko ,Iblees ne inkaar Kar diya aur ye kaha Aap mere Saath Maamla wo Kare Jiska Mai'n ahal hu'n , Saara Jhagda hi isi Baat par hai k har Shakhs ye Chahta Hai k usko uske muqaam per rakha Jaye , Sabse Pehli mehroomi iblees ki Jo mehroomi Hui hai Uski Asal buniyaad hi yahi hai- mujhe mere muqaam per rakha Jaye ,mere Saath zyadti hai k Mujhe Aadam ko sajda karne Ka hukm diya ja raha hai ,

★• _ Ye pehle imtihaan tha Jo Allah ne Farishto ka liya k ab Tak ke Qurb se aur ab Tak ki ibaadat se ita'at per Kitne aaye , agar ba Zaate khud ko sajda karne Ka hum hota to Kon inkaar karta Magar sajde Ka Hukm naye ke liye Jo Mitti se bane hai'n , idhar nooraniyat hai idhar Mitti hai , Lekin haisiyat Allah ke Amr ki hai ,

★• _ Agar Allah Ta'ala ke awaamir mamool ke mutabiq aaye to unka poora Karna ita'at ka Kamaal nahi hai ,Allah Ta'ala ke Ahkaam mamool ke khilaf aaye inka poora Karna Tabiyat ke khilaf ye ( ita'at ka ) imtihaan hai , Chunache is Amr ke poora na karne ki vajah se ( Iblees ko ) waha se nikaal diya gaya , aur ye ek Haqeeqat hai Jo Kisi khayr se mehroom Kiya Jata hai Wo Apni Tanhaai ko bardasht nahi karta Wo qasam kha leta hai k Mai'n Jis Khayr se mehroom hua hu'n , Mai'n Aadam aur Aulade Aadam ko bhi us khayr se mehroom karne ki poori koshish karunga ,

★• _ Hazrat Thanvi Reh. Ek Ajeeb Baat farma Gaye , Farmate they - Jab Allah ke awaamir Allah ke Ahkaam ko Duniyavi Masaleh ki vajah se chhoda Jata hai to Deen be lajjat ho jata Hai , Jis tarah agar Masale ko peesa Jaye to  Khane mai lajjat hoti Hai , isi tarah Masaleh ka peesna aur Masaleh ko kuchalna Allah ke Amr ko poora karne ke liye isi mai Deen ki lajjat hai , Log Masaleh ki vajah se Deen chhodte hai'n Halanki Masaleh ko peesa jata Hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Hukm  Achchhe Jazbe Ke Khilaf,*

↬• Kabhi Aayega Hukm Haisiyat ke khilaf Jese Hukm diya Iblees ko ye uski Haisiyat ke khilaf tha , Usne Amr ko nahi dekha Haisiyat ko dekha , Doosra Hukm Allah layenge Apne Achchhe jazbe ke khilaf ,

★• _ Hudebiya mai Amr aaya k Aapko Yaha se waapas hona hai , Allah ka Hukm hai , Tamaam Shara'it inki ( Mushrikeene Makka Ki )maano , Tumhai koi Shart nahi maani jayegi, ( Mushrikeen ne kaha hum) Rasulullah nahi Likhne denge , Umrah nahi karne denge , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu is per ad gaye Kyu hum dab Kar sulah Kare ,Kyu na hum Umrah Kare , Baitullaah kisi ki jageer nahi hai ,Sab aate hai'n Hajj karte hai'n,tawaaf karte hai'n,

★• _ Ajeeb Baat ye hai k Sahaba Kiraam Ka itna Majmu'a Hudebiya ke moqe per Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Saath tha ,Unke darmiyan sabki ek Baat Wo Esi thi agar kisi Jazbe ki vajah se koi Shakhs ye Kehta k Mai'n to ye Chahta hu'n aur Wo ( Shakhs ) kisi ke paas Jata Uski Raay ko Apni Raay ke Saath Shamil karne ke liye to wo Kehta k nahi  Umar , Allah Allah ke Rasool ka hukm ye hai ,

★• _ Sahaba mai Aapas mai itni ijtemaiyat thi , Saath khana ,Saath chalna ye koi ijtimaiyat Ka Maiyaar nahi Hai, Mai'n arz kru k is Mulk mai Ese bhi log hai'n Jo Agyaar ke Saath is tarah rehte hai'n k dekhne wala nahi samajh Sakta k ye Alag Alag mazhab ke hai'n ,Alag Alag Khayal ke hai'n , ijtimaiyat Kya hai ? Ijtimaiyat ise kehte hai'n k So Fisadi Musalman agar inke nafe ki Cheez ko Laa Kar Allah aur Uske Rasool ke Amr ke khilaf pesh ki Jaye to ijtimayi Tor per Ummat Usko radd ( reject ) Kar de  ,

★• _ Agar in per Sakht Halaat aa Jaye aur Sakht Halaat mai gair inhe Apni taraf bulaye to ye itna Sakht jawab de Jesa Ka'ab ibne Maalik Raziyallahu Anhu ne Saare Madina walo ki naraazgi ke bavjood Gassaan Ke Kaafir Baadshah ke khat ko Jala Kar Diya tha , Halanki Poore Madine mai koi salaam kalaam karne Wala nahi Tha ,Gassaan Baadshah ke khat ki toheen ki  ye batane ke liye k hum Aapas ke ikhtilaf karte hai'n to bhi sabke Sab Tumhare muqable mai ek hai ,

                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Haq Ka Taqaza Kya Hai ?,*

↬• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ka Jazba Umrah Karne Ka , Jiske Paas Jate Wo kehta - Umar Allah ka Amr ,Allah ka Hukm ...., ( Umar kehte ) Kya hum Haq per nahi hai ? 

★• _ Haq Ka Taqaza Kya Hai ? Haq Ka Taqaza ye hai k is Waqt Jo Hukm diya ja raha hai Usko poora Karo , ( Farmaya ) Kya Umrah Allah ka Amr nahi Hai ,( Farmaya )  Hai lekin is Waqt Ka Taqaza Kya Hai ,Hukm Kya Hai , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmaya karte they Maine poori Zindgi A'amaal aur Sadqaat kiye Ey Allah Mera us Din ka gunaah maaf Kar de ,

 "_Jazbe ke khilaf hukm Laa Kar ye dekha Jata hai k is Poore majmu'a mai koi ek fard bhi esa hai Jo Nabi ke Amr ke khilaf Jazba rakhta ho ,

★• _ Ijtimaiyat Kya hai ? Agar kisi Raaste se gair dakhil hona Chahe inki safo ko todne ke liye ,to unko Wahdato Kalima Kahi se bhi ghusne Ka Raasta na de , Abu Sufiyaan aaye Madina munawwara ,chahte they Sulah ki muddat mai tabdili ho Jaye , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ek Baat farmayi Sahaba se - Farmaya k Abu Sufiyaan aa rahe hai'n Sulah ki muddat mai tabdili karane ke liye, isme Abu Sufiyaan ko raazi Kar ke aur Mayoos Kar ke bhejna hai , 

★• _ Aap andaza Karo Raazi Karna hai, Mayoos bhi Karna hai ,Mayoos Kare to Raazi kese karenge ,Raazi karenge to Mayoos kese karenge ,Abu Sufiyaan ek ek ke paas gaye , Ek ek se mulaqaat ki ,Abu Bakar Raziyallahu Anhu Ke Paas gaye,ye Kaam kara do Allah ke Nabi se , Nahi Hukm Allah Allah ke Rasool ka hai hum kuchh Nahi Kar sakte , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Ke Paas gaye,Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya - Allah Ta'ala iski bhi tode aur Koi nayi Sulah qaa'im ho to Allah usko bhi tode , 

★• _ Mayoos ho Kar Aurto'n ke paas gaye ,Umme Habiba Raziyallahu Anha ( Ummahatul Momineen mai se hai'n ) ,Abu Sufiyaan ki Beti hai'n , Andar ke Raaste se Kaam Karo , Aurato'n ke Dil naram Hote hai'n ye Shohar ko taiyaar Kar lengi ,  Ek bada Sabab Khayr se Mehroomi Ka Azeezo Aqarib bhi bante Hai'n ,

"_ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne esa Sahaba ko ita'at per ubhara tha k nahi Allah Allah ke Rasool ke hukm ke muqable mai koi nahi , ibadaat per uthaya tha ,( Lekin ) ye nahi k ibadaat mai hamare Saath ,( aur ) mamlaat mai Unke Saath , Hume to ita'at ka esa aadi banaya gaya Tha k Ek taraf Saari qaum aur Ek taraf Muhammad Sallallahu Alaihivasallam, Hazrat Sa'ad Raziyallahu Anhu ne Allah aur Uske Rasool ke hukm ke mutabiq ( Apni qaum ke khilaf ) faisla Kiya , Ummat ki ijtimaiyat ye nahi hai k Saath rehte hai'n,Ummat ki ijtimaiyat ye hai k Allah aur Uske Rasool ke hukm ke muqable mai Sab mujtama ho Jaye to Baatil ki majaal nahi hai k dakhil ho Jaye ,


            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Hukm Mamool Ke Khilaf _,*

↬• Abu Sufiyaan ne ja Kar Aurto'n Ka zahan banaya k hamara Kaam kara do ,Agar esa Kar logi to hum tumhe Aurto'n Ka sardaar bana denge ,

★• _ ( Umme Habiba Raziyallahu Anha ne ) Sakht jawab diya , Bistar bhi lapet diya ,Kya Baat hai ? Tumhara Baap hai ,k Haa'n Baap Mushrik hai napaak hai ,Ye Allah ke Nabi ka Paak Bistar hai tum nahi Beth sakte ,Ye Ek Esi Hikmat thi Jisse khud Aadmi zahni Tor per soch Leta hai k Jisko Meri zaat se itni Nafrat hai Usko mere mutalbe se Kya ittefa hoga , 

★• _ Arz Kiya Hudebiya Achchhe jazbe ko Qurban karne Ka moqa hai hukm per , Allah Ta'ala ne farmaya k Tumne hamare Amr ko poora Kiya Apne Jazbe Coke khilaf , humne Apna Vaada poora Kiya Fateh di ,Halaat ke khilaf , 

★• _ Ek Hukm aayega mamool ke khilaf , Ek mamool Chala aa Raha hai ,Baitul Muqaddas ki taraf Namaz padhi jati thi , hukm aa gaya Aap rukh fayr lijiye Baitul Muqaddas se Baitullaah ki taraf ,Sahaba ne foran rukh fayr liya ,Ye nahi k Kya zarurat hai ,Ye bhi nahi k Koi harj nahi Jinka Dil Chahe idhar padh le Jinka ji Chahe idhar padh le , ikhtilaf se bachne ke liye Ummat ki ijtimaiyat ye nahi hai k Aap esa Kar le hum esa Kar le , Ummat ki ijtimaiyat ye hai k Apne Jazbe ko Chhod Kar Allah Allah ke Rasool ke hukm per Sab jama ho Jaye ,

★• _ Ajeeb Baat hai , Zuhar ki Namaz ke darmiyan hukm aaya , Allah ne Kyu Kiya ? Sirf isliye k Kon Rasool ki itteba karta Hai Kon qibla Avval per baqi rehta hai Kon Apne Nabi ke Saath rukh fayr Leta Hai , Ye imtihaan ki Shakle hai'n ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*,Hasad Aapas Ke ikhtilaf Ka Sabse bada Sabab Hai*

↬• Ita'at ki vajah se ijtimaiyat hai ,agar ita'at nahi Hai to ijtimaiyat nahi hai , Is ijtimaiyat mai Kya Rukawat hai'n Rukawato ke Kya Asbaab hai'n Log iska sabab talash karte hai'n Lekin Aapas Ke ikhtilaf per gor nahi karte , 

★• _Aapas ke ikhtilaf ke Asbaab mai Jo ikhtilaf paida karta hai Sabse bada Sabab Wo Hasad hai ,, Ek Ghar ke Chhote se khandaan se le Kar do mulko ki badi hukumato ke darmiyan Tak Jitna ikhtilaf hota Hai Uski Sabse Buniyadi vajah Hasad hai ,  

★• _Hasad Ta'wun se rokta hai aur Khayr ke kaam Jitne bhi hai'n wo Aapas ke Ta'wun se chalte hai'n , Allah ka Hukm hai Khayr ke kaamo mai ek doosre Ka T'awun Karo , is Ta'wun mai Sabse Badi Rukawat Hasad hai , Hasad ki saza ye hai k pichhli Nekiya'n Jala Kar khaak Kar di jati hai'n ,mazeed Nekiyo'n ki aamad Ka Raasta band Kar diya Jata hai , 

★• _ Hasad Kya Hai ? Hasad Ka Sabse Asaan Tarjuma aur Hasad Ka Asal Mafhoom Allah Rabbul izzat ki Taqseem se ikhtilaf Karna hai , Agar ek Beta Apne Baap ki Taqseem se ittefaaq nahi karta to Ghar Chhod Kar Chala nikal jayega ,Ek Baap ki Taqseem agar Beta ikhtilaf karta Hai to Wo Baagi ho jata Hai Aap gor Kare agar Koi Allah ki Taqseem se ikhtilaf Kare to wo Kaha'n jayega ? Hasad Karna Allah ki Taqseem se Barahe Raast ikhtilaf Karna hai ,Hasad Ka Tarjuma ye hai Ey Allah Fala Cheez tune Fala ko Kyu di ? 

★• _ Haasid Ni'amat ke zaaye karne ki tamanna rakhta Hai isliye Khayr se mehroom Kar diya Jata hai, Hasad ki agar gunzaish hoti Kahi to do cheeze qabile Hasad hoti , Ek Maal Doosra ilm , Aap dekhenge is Waqt poori Duniya mai yahi do vajahe milengi Hasad ki ,Duniyadaro mai Hasad Maal ki vajah se hai , Deendaro mai Hasad ilm ki vajah se hai,
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Dawat Ke Kaam mai Taqseeme Kaar nahi Hai,*

↬• Sahaba Kiraam ki badi Sifat ye thi k Wo Apne se chhoto ko bhi agar Aage badte dekhte to wo chahte they inke Saath lag jao ,is Waqt Allah inse Kaam le raha hai ,Allah Humse bhi Kaam le le ,

★• _ Ye Cheez Sahaba ki Zindgi mai aam Tor per milegi , Senior Kon Junior Kon ? Ye Cheez nahi milegi ,Sab ese ijtimai Kaam mai mashgool hai'n k waha taqseeme Kaam nahi hai , Kon Kis darje Ka hai Sab Kaam mai lage hue hai'n ,Aap dekhe Sahaba ki seerat mai Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam khud ese Shaamil hai'n Sahaba Kiraam Ke Saath k taqseeme kaar nahi milegi , 

★• _ Abu Bakar aur Umar Raziyallahu Anhum Apne Apne Daure Khilafat mai ek Apahij Budhiya Ka pakhana Saaf Kar ke aur Kapde dho Kar aate they, Talha Raziyallahu Anhu is toh mai lage k ye Raat ko is Budhiya ke Ghar Kyu Jate hai'n ,Pata Chala Aaj se nahi saalha saal se aa rahe hai'n , unse pehle Abu Bakar Raziyallahu Anhu aate they , 

★• _ Ye Baat nahi this Kiske karne Ka Kya Kaam hai ? Ek esa majmu'a tha Jaha'n Masjide Nabvi ki tameer mai Sahaba Patthar utha rahe they, Patthar Uthane mai Aap andaza nahi Kar sakte k  Aap Sallallahu Alaihivasallam Patthar Uthane walo mai Shaamil hai'n , Taqseeme kaar nahi Tha ,Darjaat nahi they ,Allah Ta'ala ke yaha'n to bade ounche darje hai'n ,Sayyadul Ambiya hai'n , Imamul Ambiya hai'n Lekin is Maidaan mai Ese rehte they k Ajnabi Aadmi ko aa kar poochhna Padta Tha k tumme Muhammad Kon hai ? Aap Sallallahu Alaihivasallam Apna tarruf khud karate they , 
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Taqseeme kaar se Hasad Paida hota Hai,*

↬• Taqseeme Kaar se Hasad Paida hota Hai k ye to yaha'n pahunch gaya hum yahi reh Gaye , Lihaza Hume waha pahunchao ya ise waha se utaaro ,Ya to Humse Wo Karo Jo inse Kaam le rahe ho ya inko waha lao Jaha'n Hume rakha hai , 

★• _ Saari ijtimaiyat ke Tootne Ka Asal Sabab ye hai, Sahaba ki Zindgi mai ye Cheez nahi milegi balki bade chhoto se istifada karte they , Abu Bakar Raziyallahu Anhu is Ummat ke Sabse behatreen balki Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ki Sohbat to Esi Sohbat hai Jiska inkaar Kufr hai baqi Sahaba ki Sohbat Ka inkaar Faasiq to hai hi , Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu dono Baitullaah Ka se tawaaf kar ke nikle to dekha k Ek Nojawan Apni peeth per Apni Maa'n ko le Kar tawaaf ke liye ja raha hai , 

★• _ Dono ne kaha ek doosre se Chalo iske pichhe , is Maa'n ko tawaaf karane mai Jo Allah ki taraf se rehmate Khaas mutavajjah hogi iski taraf usse Hume bhi koi faayda ho Jaye , ( Ye nahi k ) hamara darja Kaha'n ,iska darja Kaha'n , hamari Duae'n Kaha'n iski Dua Kaha'n, ?

"__ Waapas aa Kar dono chalte rahe uske pichhe , Chalte chalte Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne kaha us Nojawan se k Umar ki Magfirat ki Dua Kar do , Usne Apni Maa'n Ke Liye Dua Karte Kaha ,Ey Allah Umar ke bhi Gunaah bakhsh de , 

★• _ Ye maine ek Misaal di hai k Chhoto se Khayr lene ki talash mai ( Bade Hamesha raha karte they ) 
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Apne Aapko Kisi Taqaze Ka Ahal Na Samjhe,*

↬• Isi tarah Jo Taqaze diye Jate they Aapki Taraf se Un Taqazo per Sahaba Apne Aapko pesh karte they ,

★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Yamani Talwaar nikaali , Farmaya - is Talwaar ko Kon lega ? Zaahir si Baat hai Jab koi taqaza pesh Kiya Jata hai to us Taqaze ke ahal Purane hi hua karte hai'n , Hazrat Umar khade hue , Aapne Talwaar unko nahi di , Dobara Farmaya - is Talwaar ko Kon lega ? Hazrat Zuber khade hue , Farmaya - nahi ( Aapne Talwaar unko bhi nahi di ), 

★• _ Teesri martaba farmaya - is Talwaar ko Kon lega Jo iska Haq ada Kare , ? Ye nahi k Purane zyada mustahiq hai'n ,ye Baat nahi isliye k Apne Aapko Haqdaar to wo samjhega jiske Dil se khofe Khuda nikal chuka hoga , Allah Rabbul izzat Hume is istehqaak se Sabko bacha Kar hamare andar Mohtaajgi paida kar de , ( Aameen )

★• _ Mohtaaj Taraqqi Karega ,Hamare yaha'n Mutalba nahi hai k Hume de do , Haa'n pesh Karna Apne Aapko darte hue , Apne Aapko Kisi Taqaze Ka ahal nahi Samajhna hai , *"_Hazrat Farmate they - Jo Apne Aapko ahal samajhta hai Allah usse nusrat Ka haath utha lete hai'n ( k chal ab Kar ke dikha ) _,*

★• _ Apne Aapko Mohtaaj bana Kar Chala Jaye , Ahatyaaj kuchh nahi hum Mohtaaj hai'n ,Hamari zarurat hai , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Yamani Talwaar di to ye dono ( Hazrat Umar aur Hazrat Zuber Raziyallahu Anhum ) pichhe hat gaye ,Haq Ada Karna hamare bas ki Baat nahi ,Abu Dojana khade hue arz Kiya Talwaar mujhe dijiye , Mai'n iska Haq ada karunga ,Aapne Talwaar unko di, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye nahi farmaya k tum naye ho , Bahut qisse milenge Sahaba Kiraam Ke Jaha'n Bado ke Hote hue chhoto se Kaam liya hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Salahiyat Shart Nahi _,*

↬• Allah ki taraf se intikhab hota Hai ,Allah khud chunte hai'n insaano aur Farishto mai se Aane Kaam ke liye ,

★• _ Allah ki taraf se intikhab Ka hona isme Salahiyat Shart Nahi hai,  *_" Hazrat Farmate they - Allah Ta'ala ne Ababeel se Abraha ke Lashkar ko khatm karne Ka Kaam liya to Kya tum Ababeel se Hasad karoge ?* ( K hamare Hote hue Ababeel se Kyu Kaam liya ) , Ek Kamzor Parinda Jo Udte hue Apne Aapko chhipa le ,Allah Ta'ala ne Ababeel ki choch Ke Kankar se ( choch mai kitni badi kankar aati hai ) Abraha ke saare Lashkar ko bhurta bana Diya ,

★• _ Kaam hai Allah Ta'ala Ka ,Uske yaha'n Maaddi Taaqat, Salahiyat Shart nahi hai , Use qudrat hai k Wo chhoto se bada Kaam le le , 

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… .. _*Aamir Bin Tufel Ki peshkash,*

↬• Aamir Bin Tufel ne Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke saamne teen baate rakhi k Aap in teen Baato mai se kisi ek ko Maan le , 

★• _ Pehli Baat to ye hai k Aap Mujhe Apna khalifa  bana le , Agar Aap Apna khalifa nahi banate hai'n to fir Doosri Baat pesh karunga , Mumkin hi nahi hai k Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Jo Khilafat ,imaamat Sab tarah ki Salahiyat rakhte hai'n Unke Hote hue Wo bhi nahi ho sakte Kyunki Darwaza band ho gaya Nabuwat Ka ,fir ek Mushrik ye Mutalba Kare ? Aap Sallallahu Alaihivasallam ne inkaar farmaya , 

★• _ Log samajhte hai'n ilaaqe Taqseem Kar lo Jhagda khatm ho Jayega ,ye ilaaqa aap le lo ,ye Hume de do , Ye Masjid Aap le lo ye hum le le ,Ye halqa Aap le lo ye hum le le , taki Jhagda khatm ho Jaye , Ye Jhagda khatm hone ki Cheez nahi hai ye Jhagda paida karne ki Cheez hai, 

★• _ Aamir Bin Tufel ne Doosra Mutalba ye kiya k Aap Mujhe Apna khalifa nahi banate hai'n to fir Aap ilaaqa Dehaat Ka le le aur Mujhe Shehar Ka de de , farmaya - nahi ,ye nahi hoga , Kehne laga Teesri Baat ye hai k Mai'n Hazaaro ghudsawaar le kar Aapse muqabla karu , Farmaya - Haa'n ye Kar lo , 

★• _ Isliye k Nabi ko Apni Mehnat per Allah ki Nusrat Ka itna Yaqeen Hota Hai k Wo Halaat ki vajah se dab kar Sulah nahi karte aur gor karne ki Baat hai agar Nabi ki khwahish ke poora karne ke khilaf Unki Apni Biviya'n Unki Muhabbat mai ahatjaaz Kare to Allah Ta'ala ne farmaya k esa karne Waliyo'n ke khilaf Allah Ta'ala Nabi ki khud madad karenge , Jibraiyl madad karenge ,Saare imaan wale madad karenge ,Saare Malayka Jitne Allah ne paida kiye hai'n Farishte Sab Aapki madad karenge ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka Hazrat Zenab Raziyallahu Anha Ke Yaha'n Shehad Pina,*

↬• "__ Log kehte hai'n na k Kya hoga Kya hoga ? Ye to wo sochte hai'n Jo Kaam Chhod Kar Masa'il ko Hal Karna chahte hai'n ,Jo Kaam karne wale Hote hai'n Avval to unko koi Masla pesh nahi aata aur Agar Koi Masla saamne hota Hai to Kaam ko Masa'il ke liye Dhaal samajhte hai'n ,

★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Zenab Raziyallahu Anha ke yaha'n Shehad piya , Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha aur Hazrat Hafsha Raziyallahu Anha ne Aapke ( Hazrat Zenab Raziyallahu Anha ke yaha'n ) Shehad pine ke khilaf ahatjaaz kiya ,

"_.. Aapke moonh se badbu aa rahi Hai, Aapke moonh se badbu aa rahi Hai , agar har Aurat ye Kahegi to Aap Zenab ( Raziyallahu Anha ) ke yaha'n Shehad pina chhod denge. ,

★• _ Unhone to Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Muhabbat mai ahatjaaz kiya aur Aapko shehad pine se rokne ki koshish ki Allah ne farmaya k esa karne Waliyo'n ke khilaf Allah Ta'ala Nabi ki khud madad karenge, Jibraiyl madad karenge, Saare imaan wale madad karenge, iske baad Saare Malayka Jitne Allah ne paida kiye Farishte Sab Aapki madad karenge ,

★• _ Gor Kare Jis Kaam ke liye Aapko bheja nahi gaya ,Us Kaam ke liye Allah ne madad ki Saari qisme Bayan farma di to Jis Kaam ke liye Aapko bheja gaya Hai, uske muqabil koi aayega to Allah ki kesi madad aani chahiye ?

↬• Hamare sabke Dilo'n mai ek chor hai chor , Ye Dawat illallaah ki Mehnat se Doosro ke aitraaz se saathiyo'n Ka Yaqeen toot Jata hai, Yaqeen Hona chahiye ,

*★• _ Hazrat Farmate they - Mai'n Qasam Khaa kar Kehta hu'n Ye Dawat Ki Mehnat aur Ye Tarteebe Mehnat Sunnat ke mushabe hi nahi balki Ayn Sunnat Hai _,"*
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Apne Saathiyo'n Ka Ta'wun Karo Khayr Ke Kaamo mai,*

↬• Hasad ek doosre Ka Ta'wun nahi hone deta , Ek doosre Ka muqabil bana deta Hai,Ye ( Dawat Ka ) Kaam ek doosre ke Aapas ke Ta'wun se chalega,Taqabul se nahi ,

★• _ Duniya ke kaam taqabul se chalte hai'n, Deen Ke Kaam mai tanafuz hai taqabul nahi , Tanafuz ye hai k Agar Qabila Aus ko maloom ho Jaye k Khajraj ne koi Khayr Ka Kaam kiya hai Allah ke Nabi ki madad mai to Aus Khajraj se badh Kar Karte They ,Rivayato mai hai'n k in dono mai esa muqabla hota Tha Khayr Ke Kaamo mai Jese do Saand Aapas mai muqabla karte hai'n , isliye mere Dosto Azeezo Hasad ki gunzaish nahi hai Apne Saathiyo'n Ka Ta'wun Karo Khayr Ke Kaamo mai,

★• _ Hadees mai aata Hai- Madad Karo Zaalim ki bhi Majloom ki bhi , Farmaya- Zaalim ki madad kese Kare ? (Farmaya) Zaalim ki madad ye hai k usko Zulm se roko , Sahaba Kiraam ek doosre Ka Ta'wun Kiya karte they Kyunki Unke quloob Hasad se Paak they, Ek doosre ke Ta'wun se Kam aage badhega , Dilo'n Ka Hasad se Paak hona aur Saathiyo'n ke liye Dilo'n Ka Naram hona ye bahut Aham hai , Allah ne isko Rehmat farmaya hai ,

★• _ Saare Khayr Ke Kaam Allah ki Rehmat se hai'n ,Jitna Fasaad Jitna bigaad hai ye Sab Allah ke Gazab ke mazahir hai'n , Ye ( Dawat Ka Kaam ) Sabse Badi Khayr lane Wala Kaam hai , isse badi Khayr kisi aur Raaste se nahi aa sakti , is Kaam ke alawa Jitne Khayr Ke Raaste hai'n Unse Jo khayr aayegi Wo infiradi,ilaaqayi satah per aayegi Lekin is naqalo harkat se jo Khayr aayegi Wo ba aitbaar Aalam ke ba aitbaar Ummat ke hogi ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Hazrat Ji Reh. Ke Bayanaat Khoob Padha Karo,*

↬• ★• _ Mai'n Tumse purano se Kehta hu'n -Hazrat ke Bayanaat khoob padho ,itna padho itna padho k Kaam per Wo Basirat Wo Yaqeen aa Jaye Jo Hazrat ko khud ko Yaqeen Tha ,Agar ye Bayanaat nahi padhoge to Bahut se fitno aur Sazisho ke shikaar ho Jaoge , 

★• _ Is Zamane mai Jis tarah insaan Ka mizaaj nayi cheezo ke lene aur Purani cheezo ke chhodne Ka hai ,Allah mujhe maaf farmaye Deen Ke maamle mai bhi yahi mizaaj ban raha hai ,Ye purani Baate chhodo ,nayi Baat Karo , ,Log Farruhaat ko Asal samajhte hai'n Usool ko Bhool Jate hai'n ,

*★• _ Mai'n to Aapse Amanatan Kehta hu'n Aapme Masha Allah Bahut se Bayanaat karne wale honge , K Jiske zimme Subeh ko ya Shaam ko Bayan ho usko Hazrat ke Bayan padhe bager Bayan Karna Dawat ki nisbat se Kaam ke Saath khayanat hai ,Ye hat jayenge Apne mozu se ,inhe naye naye Bayanaat naye naye qisse Kahaniya'n maqasid se door le jayengi , inhe Ahsaas bhi nahi hoga , itni door le jayengi itni door chale jayenge k jab inhe bulaya jayega ( Hazrat ke Bayanaat per, Usool ki Baato per )  to ye kahenge ye nayi Baat hai Tablig mai ye nahi hona chahiye ,"*

*★• _ Hazrat ne Maulana in'aamul Hasan Sahab Reh. Se farmaya, Aakhri Dil Ka daura pada to Maulana in'aamul Hasan Sahab Reh ne farmaya k majma Muntazir hai ( Aapke Bayan Sunne ke liye ) Aapne farmaya - Hume Jo kuchh kehna tha Majme se Wo humne Keh Diya ,ab to karne Ka Zamana hai , iske mutabiq kehte raho ,iske mutabiq chalte raho ,*

★• _ Isha'at  aur Muta'ala Kaafi nahi Hai jab Tak is Naqal harkat se Amali Tor per lane ki koshish na ki Jaye aur ijtimayi muzakro mai Hazrat ke Bayanaat Bayan na kiye Jaye aur Dawat mai na laya Jaye Us Waqt Tak faayda na hoga ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Maidaane Mehnat Teen Hai'n,*

↬• Dawat Ke Bayanaat mai hai  - Mehnat Ek hai lekin Maidane Mehnat teen hai'n ,

★• _Ek Saleheen wali Mehnat hai ,Apni zaat per Mehnat karna  ,Saari Zindgi Deen Ke Mutabiq guzaarna ye ye Mehnat Saleheen wali hai ,is Ummat Ki Madad Saleheen wali Mehnat se na hogi ,

★• _ Doosri Qism hai Ambiya Alaihissalam wali Mehnat , Farmate they- is Ummat ki Madad Ambiya wale tareeqa e Mehnat se bhi na hogi , Agar Ummat Ambiya wali Tarteebe Mehnat Kare tab bhi iski madad na hogi Kyunki Ye Sayyadul Ambiya Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki Ummat hai , Ye Ummat Ummate Ambiya nahi Hai ,ye Ummat Ummate Khatimul Sayyadul Ambiya hai , 

★• _ Is Ummat Ki Madad ke liye Shart hai - in tansurullaah Yansurukum , Ek qaum ,Ek ilaaqa ,ek basti ye Ambiya Alaihissalam Ka Maidane Mehnat hai, is Ummat Ka Maidane Mehnat ye nahi hai , Jis tarah Aap Sallallahu Alaihivasallam ki aamad ne aur Ambiya Alaihissalam ki ki Shari'at o ko mansookh Kiya hai ,isi tarah Aapki Aamad ne aur Ambiya Alaihissalam ki Maidane Mehnat ko bhi mansookh Kiya hai ,

★• _ Hum Chahe infiraadi ibaadat se Islam Fayl jayega , esa kabhi nahi hoga ,Esa Kabhi nahi hoga ,Ye Ummat Ummate Muhammad Sallallahu Alaihivasallam hai ,is Ummat Ka Maidane Mehnat ba aitbaar Aapki baisat ke hai Kyunki Ummat ijtimayi Tor per Aapki naayab hai Kyunki Aapki baisat ba aitbaar Jama'at ke nahi Hai Aapki baisat ba aitbaar Ummat ke hai , 
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Sayyadul Ambiya Wali Mehnat,*

↬• Teesri Mehnat Sayyadul Ambiya wali Mehnat hai, Ummat ba aitbaar Ummat ke jab hogi ,Jab ye Ummat Sayyadul Ambiya ke Tareeqe Mehnat per aawe aur yahi nahi Sayyadul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam ke mizaaje Mehnat per bhi aawe ,

★• _ Saare Ambiya Alaihissalam ne na maane walo ke liye bad Dua Kara kar Apni qaum ko halaaq Kara liya Apni Wo Dua e Muatajabaat ko istemal kar ke Jo  Allah ne har Nabi ko di hai , Magar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Apni Ummat ke liye Apni Dua e Muatajaab ko Qayamat ke Din ke liye utha  Kar rakh diya hai , 

★• _ Saari Ummat ko Bakhshwana hai , Farmaya Rivayat mai Hai Maine Usko Qayamat ke Din ke liye chhipa kar rakha hai , Waha'n Ummat ko Bakhshwana hai ,

★• _ Aapki Mehnat mai Jo Aham Cheez hai Wo Ummat ke tabqaati Farq ko khatm Karna hai ,Ummat ke har Tabqe ko Ummat mai dakhil Karna , Hum tabqaati mehnat ko Kaam ke liye mufeed samajhte hai'n halanki tabqaati mehnat Ummat ke tabqaati Farq ko zaahir karti Hai ,aur Ummat ki ijtimaiyat isme hai  aur  Ummat ki tarbiyat isme hai k Ummat Ka har tabqa har Tabqe mai esa dakhil ho Jaye Ummat ke Tamaam tabqaat Ka Aapas mai esa Jod ho k Zubaano se Saari nisbate khatm ho Kar Sirf ek Umnat hone ki nisbat baqi reh Jaye ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Apni Qaum Ke Alawa Ke Saath Allah Ke Raaste mai Niklo,*

↬• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam se badh Kar kaun Harees hoga Ummat ki Hidayat Ka ? Ese Ra'iso Mushrikeen Jo Aapke Kaam mai Roda Rukawat bane hue they Aapne zyada Ziddi logo per zyada koshish ki , Umar aur Abu Jahal inki Hidayat ki tamanna auro ki Hidayat se zyada chahte they ,Abu Talib Ka ek muqaam tha Quresh mai Aap Unki Hidayat ki zyada Tamanna rakhte they ,

★• _ Mushrikeen ne chaha Aap hamara bhi ek Jod Kare , Lekin Hum nahi Chahte ye Salman ,Suhaib ,Bilaal fate Purane Kapdo ke Saath .. hum inke Saath bethna pasand nahi karte ,

"__ Ummat ki ounch neech ki vajah se hum ye samajhte hai'n k ye log khwaas hai'n Awaam ke Saath bethna pasand nahi karenge isliye Kyu na inko Alag jod liya Jaye ,inki noiyat inki noiyat se mukhtalif hai , Khuda ki qasam bilkul yahi Baat Mushrikeen ke Dilo mai thi , Inka hamara Saath bethna hamari haisiyat ke khilaf hai , 

★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya- Apni Qaum Ke Alawa Ke Saath niklo Allah ke Raaste mai ..," isme badi hikmate thi , Khurooj aur Naqal harkat ko Ajnabi logo ke Saath karwane mai Saare Agyaar ko ye dikhlana tha k hamare halke mai aa kar inke darmiyan ye is tarah rehte hai'n k koi tabqaati Farq nahi Kar Sakta ,

★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ko is per k ..inki Hidayat ki hirs mai k Baat to sune ,bethe to Sahi ek dafa , aaye to Sahi is Mahol mai, Aapne farmaya Apne Sahaba se k dekho Kal fala Waqt se Fala Waqt Tak tumme se koi na aaye , Unhe ( Mushrikeen ko ) Khayal ye Tha k koi aa jayega , ..Nahi Aap likh kar dijiye ,dastkhat kijiye ,Muhar lagaiye , Kaagaj bana ,tehreer likhwayi ,Muhar lagwayi k inka Jod hoga aur koi nahi aayega ,

★• _ Jab Kisi ilaaqe mai Jao na k Sirf Chaar Chaar Maah lage Saathiyo'n Ka Jod hai ,Chille wale na aaye to Mai samajh leta hu'n inhone Kaam ko tanjeem bana liya , Kyunki ye Chille walo ko Chaar Maah per Lana nahi Chahte , Agar Lana chahte to Yu kehte Chille wale Chaar Maah wale Sab aawe Taki ijtima se Chaar Maah walo ko Mulko mai jata hua dekhe to roye k Kaash hum bhi Saath Hote ( hum bhi Mulko mai Jate ) Waha'n Sahaba ki Zindgi mai ye Tha k naye Purane ese Makhloot Beth te they k Bachcho Ke Jazbaat bhi nikalne ke bante they , Waha'n Taaqat lagti thi Rokne per , Yaha'n Taaqat lagti hai nikaalne per ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Allah Ki Taraf se Tambeeh,*

↬• Aap Sallallahu Alaihivasallam ne in ( Mushrikeen ) ke liye Waqt Tay Kar liya , Ra'iso Mushrikeen aaye , 

★• _ Allah ki Shaan us Waqt ek NaBeena Sahabi Jinhe nahi maloom Kya ho raha Hai , Darwaze se cheekhe - Allah ke Rasool mujhe Sikhlaiye , ... Aap Sallallahu Alaihivasallam ko inke aane per nagawaari Hui , Peshani per Bal aa gaye , Ye Waqt Tumhare aane Ka nahi ,Aap Naraaz hue , Allah ki taraf se Aapko Tambeeh Hui - Jo Talab le kar aa Raha hai Uske Liye to Aapki peshani per Bal aa gaye,Jo Sunna nahi Chahte Unki Aap koshish mai hai'n ....,"

★• _ Jo ibtida se naye log Kaam mai Purano ke Saath nahi chalenge Wo inteha Tak Saath nahi denge , Unka Apna Khayal Apne ilaaqe ke ,Apne Shobe ke logo ke Saath chalne Ka hoga ,Hamari Jis tarah Namaz bila imtiyaz bila ounch neech ke Namaz mai Sab Ummat ke jama hone ki jagah hai ,Khuda ki qasam Ye Dawat Tablig bhi is tarah jama ho Kar nikalne Ka Raasta hai , Jab Tak ek Jama'at mai Har Tabqe Ka Aadmi na ho Jama'at nahi bani ,

★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ummat banayi hai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Ummat ke liye Rehmat banaya hai , Rehmat Ka taqaza ye hai Naram Mizaaj aur Wusate Qalbi ke Saath Chalo , Tangdili se Tabqe bante Hai'n Ummat nahi banti , Ummat banti hai Wusate Qalbi se ,

★• _ Isliye Nabi ko Hukm hai Aap inse darguzar Kare , Puchha gaya Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Ek Gulaam se Kitna darguzar kiya Jaye ? Farmaya - Ek Din mai 70 ( Sattar ) baar to maaf Kar diya Karo Baad mai akhtyar hai ..., ( Allahu Akbar ) jab Gulaam ko ek din mai 70 martaba maaf Karna hai to Kaha'n Saathi , Kaha'n imaan Wale Kaha'n Tak maaf karenge , Darguzar ki koi Had hai ? 

Puchha gaya Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam darguzar ki koi Had hai ? Farmaya Hadees Ka mafhoom hai  - Mujhse Qayamat mai aa Kar mil Lena bas yahi Had hai , Sabr ki Had batlayi hai ,Saal do saal nahi Qayamat Tak , 

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Narmi aur Shafqat Paida Karo,*

↬• Sabse Aham Cheez ye hai -Dilo ke andar Narmi aur Shafqat Paida Karo, 

★• _ Taleem Ka Talluq Shafqat se hai Taleem kabhi mashakkat se nahi di jayegi ,Hadees Bata rahi hai Taleem Baap ban kar di Jaye , ilm Rafeeq ban Kar failega Fareek ban Kar nahi , Ilm agar Fareek ban gaya to Ummat ko Jahaalat mai daalega , 

★• _ Ummat ko chahiye Apni salahiyato ko Tasleeme Agyaar per kharch Kare na k Taqseeme Agyaar per , Ek doosre ki Tawwel Kar ke Haq ko qaa'im Kiya Jaye ,

"__Is Waqt quwwat Jo lag rahi Hai Wo Taqseeme Muslim per lag rahi Hai,Hamare Bado se bado Ka mizaaj ye Raha hai k Galat karne walo ke Saath bhi Maamla Shafqat Ka karo agar Wo nahi maanta hai to use uske haal per Chhod do , Kyunki Allah Rabbul izzat jis Tarah Qur'an Ka Muhafiz hai Usi Tarah Qur'an ke andar naafiz kiye jane wale Ahkaam Ka bhi Muhafiz hai ,

★• _ Ummat Gumraahi per kabhi jama nahi hai agar Munkar se rokne ke liye Munkar tareeqa akhtyar Kiya gaya to Munkiraat mai izaafa hoga khatm nahi hoga , Munkar se  rokne ke liye Maroof Ka Raasta diya gaya Hai, isliye Munkar se rokne mai Munkiraat se bacho ,

★• _ Munkar ko rokne ke liye Musalman ke Munkar ko Mash'hoor karne se bacho Varna Khuda ki qasam Zina Karna itna bada gunaah nahi hai Jitna Zina ki khabar Karna bada gunaah hai , Zina karne wale Mard Aurat yaha'n Parda do ke darmiyan hai, iski Khabar karne Wala ,Zina ko failane Wala ye Alag Gunaah hai aur Geebat Karna isse zyada Shadeed gunaah hai ,
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka Tareeqa e Taleem,*

↬• Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Masjid mai ek Aadmi ne Peshaab Kar Diya , Sahaba daude rokne ke liye , Aapne farmaya nahi isko peshaab Kar lene do ,Maamla Shafqat Ka Kiya ,

★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne uski be adabi ko chhota kiya ,Hamari Tabiyato mai Nafrate aur Duniya itni ho gayi hai k Hume islaah ke Tareeqe aur Usool bhi Maloom nahi , Yaha'n ek Masjid mai peshaab karme wale ke Saath ( bhi ) Maamla Shafqat Ka kiya ,

★• _ Usne peshaab poora Kiya , Aapne bulaya aur Taleem di Masjid is Kaam ke liye nahi bani hai......., Ye to ek aam Aadmi hai ,Hum to Usool ke chakkar mai na Jane Kitne purano ko Zaaya Kar dete hai'n , Yaha'n ek Aam Aadmi ke Saath ye maamla , na maarna hai na daantna hai isko samjhana hai Kyunki ek imaan wale Ka muqaam Baitullaah se ouncha hai aur Saari Masjide Baitullaah se adna hai'n , Yahi vajah hai k Aapne usko na daanta na maara balki Sahaba se farmaya Ek Dol Paani Ka yaha'n baha do ,

★• _ Usne Jaa kar Aapke Tareeqa e Taleem ka Elaan Kiya k Aao Seekho inse , yaha'n milega Deen ,Ye hai Sikhlane Ka Tareeqa , .. Isliye is Kaam Ka ye Usool hai k Jisse Jaha'n Galti ho usko ek taraf le jaa Kar samjha diya Jaye ,

*★• _ Hazrat farmate they - Agar kisi ko kisi Baat se rokna chahte ho to Pehle usse itni Muhabbat paida Kar lo k Ab Yaqeen ho Jaye k Muhabbat mai ye inkaar nahi Karega , isse pehle agar tok rahe ho to tumhari nafsaniyat gaalib hai islaah gaalib nahi _,"* 

"__Agar Talluq paida kiye bager rok rahe ho  to nafsaniyat per rok rahe ho islaah maqsood nahi Varna ye sochte k Konsa Tareeqa hai iske qareeb hone Ka ,konsa Tareeqa hai Jisse iska ho Kar fir isse kahu'n k Ye mat Kar , 

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Momin Ke Liye Bad-Gumaani Sahaitani Fareb Hai,*

↬• Aap Sallallahu Alaihivasallam Ummat ke liye Rehmat hai'n ,Aapki Ummat Ka Tareeqa bhi ye hai , Beshak Sahi Baat batao ,Sahi Baat batane mai Galat tareeqa akhtyar mat Karo ,Sahi tareeqa akhtyar Karo ,

★• _ Masjid mai imaam se Sahu ho gaya , Jaha'n Luqma dena tha waha to nahi diya aur Bazaar mai jaa Kar Keh rahe imaam Sahab ne Namaz Galat padhayi , Ajeeb Baat hai Jaha'n Namaz Ka Mahol hai Waha'n to Luqma diya nahi Jaha'n Be namaziyo Ka mahol hai bazaar un be namaziyo mai Bata rahe k imaam ne Galat Namaz padhayi , Be Namazi Jo pehle se be Namazi hai ye Namaz per kab aayega ? Jab ye sun Raha hai k imaam Sahab galat Namaz padhate hai'n , Ye( Namaz per ) kabhi nahi aayega , 

★• _ Ye Fasaad Ka Raasta hai, islaah Ka Raasta nahi , Ek doosre ki Baat Ka jawab Dena esa hai Jese do Aadmi Aag Ke aamne saamne bethe ho aur Dono kaagaz daalte Jaye Aag mai , Ye Aag kabhi bujhne wali nahi ,

★• _ Suni Hui Baat ko aage badhane wale ko Kazzaab kaha hai Hadees mai , Sabse bada Jhoota hai Wo Jo suni Hui Baat ko aage badhaye , Hadees mai Ajeeb Baat farmayi - Ek Aadmi aa kar ek Baat Tumhare Kaan mai Kehta hai ,isse sabke darmiyan ( Wo Baat ) Fayl jati hai , Kehne Wala Kehta hai kisne kaha Tumse ? Hadees mai Hai Khuda ki qasam Wo Shaitaan tha , 

★• _ Dekhna chahiye Bad Gumaaniya'n Momin ke bare mai ( Shaitani Fareb hai ) Momin ke bare mai to yaha'n Tak hukm hai k Apni Aankh se kisi ko hosh mai Zina karte hue dekh raha hai to Apni Aankh se ye Keh k tune Galat dekha hai Momin Zina nahi Kar Sakta , Yaha'n to Suni Hui Khabro per Yaqeen hai , Waha'n Aankh se dekh Kar bhi ( Jhutlane Ka Hum hai ) ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Momin Ke Gunaah Ko Chhipao,*

↬• Naram Mizaaj raho , Taleem Narmi se do aur Musalman ke gunaah ko Chhipao , Momin Ke Gunaah ko chhipana hi Mahol ko Pakiza rakhna hai ,

★• _ Ek Sahab ne aa Kar arz Kiya Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se - Meri Ladki se Zina ho gaya aur Uska Kunwarapan khatm ho gaya ,Aaj uski Shaadi Ka Paigaam aaya hai Kahi se ,Hamara Farz banta hai Hum Apni Ladki ka haal Ladke walo ko Bata de ,Puchha Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se k Ey Ameerul Momineen Kya hum Ladki ka Ayb Ladke Walo ko Bata de ? 

"__ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne farmaya- Agar Tumne Ladki Ka haal Ladke walo ko bataya to Mai'n tumhe itni Sakht Saza dunga k Saare Mumalik Jaha'n Tak islam Fayl chuka hai Unke liye tumhari saza ibrat ban jayegi , iski Shaadi ese Karo Jese Paak Daaman Ladki ki karte hai'n , ( Allahu Akbar )

★• _ Hum to Muntazir rehte hai'n kisi se koi Galti ho Jaye to Jaldi se Aam Karo ( Jaldi se Uska charcha logo mai Karo ) Taki ye iske muqaam se gir Jaye , Khuda ki qasam Musalman ko Zaleel karne Wala Allah ki nazar se Pehle hi gir chuka hai , Jo Allah ki nazar se Pehle hi gir chuka hai Wo kisi ko girane mai Kya Kaamyaab hoga ?

★• _ Isliye Beshak Nahi Anil Munkar ( Buraa'i Se rokna ) ek bada fariza hai lekin is farize Ka Khuda ki qasam is tarah mutayyan tareeqa hai Jis tarah Namaz Ka mutayyan tareeqa hai, Jis tarah Namaz Apne Tareeqe se hat Kar fasaad paida karegi iske aur Allah ke talluq ke darmiyan Lekin Munkar ke Tareeqe Ka bigaad ye fasaad paida Karega iske aur Ummat ke darmiyan ,

★• _ Isliye Farmaya Momin ke Fayl ki Taveel Karo , Taveel ke karne Ka Matlab kya hai ? K Poori koshish is Baat per laga do k Momin Ka Gunaah Saabit na ho ,ise kehte hai'n Taveel Karna ,
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Ka Ek Chor Ke Saath Maamla,*

↬• Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Ke Yaha'n ek Chor laya gaya ,Aapne Taveel Ki ,

★• _ Kya churaya ,Ount churaya , Chor aitraaf Kar raha ,Ount mojood hai churaya hua , Farmaya Ali Raziyallahu Anhu ne Aapne Chori nahi ki hogi , Saare Ount ek Jese Hote hai'n,Aapko Shubha hua hoga k ye Mera Ount hai , Taveel Kar rahe Taki ye Haa'n Kar de , Chor ne kaha - nahi Maine chori ki hai , aitraaf Kar liya ,

★• _ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Jallaad ko bula liya aur uth Kar chale Gaye , Yaha'n to Fasaad ko baqi rakhne ke liye kaha Jata hai Agle mashware mai rakho ,Khuda ki qasam Jo Gairo ki Adalato Ka haal hai Musalmano ke umoor mai Wo hamare mashwaro Ka haal hai ,,..Ali Raziyallahu Anhu uth Kar chale Gaye, Majlis khatm ho gayi ,is Majlis ke khatm hone ne is maamle ko esa khatm Kar diya k   Bahut der ke Baad tashreef laye aur usse ( Chor se ) is tarah mulaqaat Hui Jese Pehli mulaqaat ho , 

★• _ Bhai ! Kya Baat hai ? Kyu Tashreef laye ho ? Tumne chori ki hai ? Ese puchh rahe Jese ab Tak usse baat hi nahi Hui , Usne Kaha - Maine chori nahi ki , farmaya - fir jao ( use Jane diya ) , Saathiyo'n ne kaha - ye Kya kiya Aapne ? Jallaad Muntazir betha hai,Usne ikraar Kar liya hai , Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya - Maine uske ikraar ki vajah se Jallaad ko bulaya tha ,Uske inkaar ki vajah se ( usko ) Chhod diya , Qissa khatm ho gaya ,

*★• _ Jab Musalmano Ka mizaaj muqadmaat ko baqi rakhne Ka hoga ( Ek Momin Ka doosre ) Momin ke khilaf ,Khuda ki qasam Gair Hansenge  aur Musalman Royenge _,* 

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Hum Farishte Nahi insaan Hai'n,*

↬• Musalmano ke Fayl ki Taveel Ka hukm isliye tha Taki Tum Musalmano ki ijtimaiyat ko dekh Kar gair Tumhare yaha aane ki Hirs Kare ,

★• _ Izzat Yaha ( islam mai ) milegi  , Muhabbat Yaha milegi , Jaa'ñ nisaari Yaha milegi,  Khuda ki qasam Jab Tak Musalmano ki Mukhtalif Jamhuriyate ek doosre ke Fayl aur Qaul ki Taveel nahi karengi ,Ek doosre ke Amal ki taa'ied nahi karengi ,Ummat mai ijtimaiyat nahi hogi , 

★• _ Ye Farishte Nahi hai'n ,insaan hai'n ,insaan Ke Liye Bhoolna Aadam Alaihissalam se chala aa raha hai , Bhool Gaye Lekin humne bhoolne wale ko Apni Bhool per akadne Wala nahi paya , Aadam Alaihissalam Apni Bhool per adne wale nahi they , Shaitaan Galti per adne Wala tha ,

★• _ Gunaah Ka aitraaf karne walo ke liye Allah ke yaha'n Qubuliyat hai , Adne Ke Liye Mehroomi hai , Saathi Farishte Nahi hai'n , Yaha'n Saara fasaad is tarah hai Fala ko esa hona chahiye Fala ko esa hona chahiye ,usne esa hai ..... Jab is per aa Jaoge to agla qadam Kya hoga  ? Agla qadam ye hoga k Tum bhi Galat ho , Wo kahega - Tum bhi Galat ho , ( Ek doosre ko Galat thehrate rahenge , Ummat bikhar jayegi ) Ye Raasta Yahoodiyo Ka hai , Do Firqe tab bante Hai'n jab ek doosre ko Galat kehte hai'n ,.. Ummat Kaha'n jayegi ? ( Socho zara ) 

★• _ Yu'n farmaya - jab kisi Saathi se Galti ho Jaye Uski qurbaniya'n ,Uske mohasin Yaad Karo , 
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Galti Ko na dekho ,Galti Karne Wale Ko Dekho,*

↬• Jab kisi Saathi se Galti ho Jaye to uski qurbaniya'n Uske mohasin Yaad Karo , 

★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Sabse pehle dekha hai k isse Galti Hui Hai Ye Kon hai ? Galti ko nahi dekh rahe ,Galti karne wale ko dekh rahe k ye Kon hai ? Hum Galti karne wale ko nahi dekhte Galti ko dekhte hai'n k Galt Kya ki ,

★• _ Hazrat Haatib Raziyallahu Anhu ne Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke Makka per hamle Ka Raaz faash Kar diya Mushrikeen per , isse badi Galti Koi nahi , Allah ne Aap per Wahih ki , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu chahte they - isko Qatl kar de , Farmaya - Umar ! Tum ise qatl Kar rahe ho ye Badri Sahabi hai , Allah Keh chuke hai'n k Badar walo Jo chaho Karo Allah Tumhe maaf kar chuke hai'n , 

★• _ Mere Dosto ! Hume nahi maloom Kiski qurbani Kis darje per hai , Hum ye Keh Kar Kisi ko nikaal de , Meri Baat Yaad rakhna - ( Dawat Ke ) Kaam se na kisi ko nikaala gaya Hai , na Khuda ki qasam kisi ko nikaala jayega , Haa'n darna Hume Sabko chahiye ,

*"__ Maulana Ilyaas Sahab Reh. Ka malfooz hai k Ye Kaam esa Samandar hai Jo mari machhli ko khud Baahar faink dega _,* 

★• _ Galti kisse nahi hoti ,Sahaba Kiraam Ke Waqi'aat per gor Karo , Aapne kabhi ye nahi dekha k Galti Kya Hai Galti karne wale ko dekha , 

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Saathiyo'n ke Saath Achchha Gumaan Rakho,*

↬• Ek Aam se aam Kaam karne wale se Le kar Purane se Purane Tak , Har ek ke Saath Apna Gumaan Achchha paida Karo ,

★• _ Shaitaan wasawis paida Karega , Jhooti khabre le kar aayega ,Us per bade bade qadam utha liye jayenge , isliye k Munafiq ko Ummat ki ijtimaiyat aur Ummat ki ita'at, Ummat Ka Fara'iz per jama hona ye cheeze bardasht nahi hoti ,

★• _ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Banu MustaliK Se Zakaat Vasool karne ke liye ek Sahabi ko bheja ,Tanha ek Sahabi , Amanatdaar itne they k Zakaat Vasool karne mai khayanat Ka koi Andesha nahi , Qabile walo ko pata Chala k Humse Zakaat Vasool karne ke liye Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka Qaasid aa raha hai, Us Qaasid ke ikraam mai ,uske istakbaal mai Poora Qabila Apni Basti se nikal Kar Baahar aa gaya , 

★• _ Zakaat dene ki itni Ragbat aur itni Khushi k Apna Umda Maal chhaanta Zakaat ke liye , 

★• _( Sahabi ko Jo Zakaat Vasool karne ke liye ja rahe they ) Aadhe Raaste per Ek Munafiq Mila ,Tumhe Halaat ki khabar bhi hai Kya ho raha Hai ? Poora Qabila Tumhe qatl karne ke liye baahar aa gaya hai Basti se , Sahabi ko ( is Jhooti khabar ne ) Aadhe Raaste se waapas Kar diya , Arz Kiya - Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ! Mai'n to gaya Tha Zakaat Vasool karne ,Khabar ye hai k Poora Qabila mujhe qatl karne ke liye baahar nikal aaya aur poora Qabila Zakaat dene se inkaar karta Hai ,

*"__ Mashwara hua Kya Karna chahiye - Halaat kuchh nahi , Haqeeqat kuchh nahi , Mashwara ho gaya ,Sahaba Beth gaye is fikr mai aur Aapas mai Tay ho gaya k Raato Raat Hamla Kiya Jaye Qabile per aur Avval se Aakhir Tak Sabko qatl Kar diya Jaye , ..Wo to Allah Ta'ala Ka Shukr hai .. Wahih ka silasila Naazil hua , Aap Sallallahu Alaihivasallam per Wahih Naazil Hui balki Ajeeb Baat hai Nabi ( Sallallahu Alaihivasallam ) ko mukhatib nahi Kiya balki Saare imaan Walo ko mukhatib Kiya k Faasiq Munafiq aayega Tumhare paas khabar le Kar Tumme se har ek ki Zimmedari hai k Uski khabar ki Tehqeeq Kar liya Karo ,

-
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Apni Raay per israar na ho ,*

↬• Agar Poore Maidane Mehnat ke kisi ek ilaaqe mai bhi ikhtilaf hoga to wo ilaaqayi ikhtilaf nahi hoga balki Wo Aalami ikhtilaf hoga ,

★• _ Ita'at iska Naam nahi Hai k Fala maante hai'n Fala nahi maante , balki ita'at iska naam hai k ijtimayi Tor per ita'at ho , Hume ita'at ke liye behatreen Cheez Mashwara diya hua hai , Hamara Mashwara Saare Ummore Dawat Ke Liye is tarah Bandhan hai Jis tarah Namaz per Jama hona Tamaam Arkaane islam ke liye hai , 

★• _ Isliye Mashware Ka ahatmaam Karo , Mashwara kabhi na chhodo , So ikhtilaf ek taraf Khuda ki qasam is so ikhtilaf se Mashwara Chhod dena zyada Shadeed hai , Apni Raay per israar nahi hona chahiye , Jaha'n 300 ko ( Raay per israar ne ) Madina mai Rok liya ( Hudebiya mai nikalne se ) , Ita'at wale 700 gaalib aa gaye , 5 Fi sadi ne nafarmani ki ( Jinhone Apni mutayyan jagah ko ye samajh Kar chhod diya k ab to Fatah ho gayi  Sab maale Ganimat loot rahe hai'n ) in 5 Fisadi ki nafarmani se 100 Fisadi ( Fatah ke bavjood ) fir ibtla mai aa gaye , k Jo Cheez tum chahte they Fatah Tumhare haath mai aate aate waapas chali gayi , 

★• _ Jaha'n ita'at hogi Khayr baqi rahegi , Jaha'n nafarmani hogi Allah Ta'ala Khayr ke haath mai aane per foran Chheen lene per qaadir hai'n ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Purane Zimmedaro Se Mulko Ka Mutaalba _,*

↬• Hamara Mujtama hona Asal ijtimaiyat hai aur Hamara Jama hona Asal bikharne ke liye hai ,Agar hamara Jama hona jama hone ke liye hai to ye Rasam hai Kaam nahi hai , Hamara Jama hona Dawat ke ( taqazo ke ) liye bikharne ke liye hai, *Hazrat farmate they - is Raaste mai nikalne ke alawa hamara koi mojoo nahi Hai _,"*

★• _ Har Saal Chaar Mahine per to Sabko aana hai ,Maali Salahiyat to is Raaste mai Khuda ki qasam koi haisiyat nahi rakhti bilkul nahi rakhti , Jab bhi ye Ummat Deen ki isha'at ,is Raaste ke taqaazo ko Asbaab per moqoof samjhegi Khuda ki qasam ye Gaibi Nusrato Ke darwaze ke band hone Ka Sabab banegi , Balki Hukm per qadam uthana ye Gaibi Nusrato Ke nujool Ka Sabab hai , *Hazrat Farmate they- Agar Asbaab per Kaam ko moqoof karoge to Sahaba wali Madade kabhi nahi dekh sakoge _,*

★• _ Ab Kaam tarruf se aage Chala gaya , Saare Zimmedaro ko ab Mulko Ka Taqaza Purane Zimmedaro ko Apne Mulko mai bulane Ka hai , Sabse Aham taqaza Purano ka ek saal Apne Mulk mai Chaar Mahine Ek saal Bairoon Chaar Mahine , Ab ye tarteeb agli saf walo ke liye hai , 

★• _ Ummat ki Salahiyat ko Jaani Maali Aqli ba aitbaar Ummat ke istemal karna hai , Tablig koi Waqt lagane Ka Wazifa nahi Hai balki Taqazo per jaano Maal ko jhonkna ye Dawat hai , Koi mamool poora Karna Kaam nahi hai , *Hazrat Farmate they- mamool ke poora karne se inqlaab nahi aata balki mamool se hatna inqlaab hai _,*  

★• _ Hum to Purana use samajhte hai'n Jo Doosro ke qurbaniyo per aane Ka zariya bante Hai'n , Purane Wo kehlate hai'n Jo Doosro ko Purana banane Ka zariya ho aur Unki qurbaniya'n pichhli saf walo ke liye Gam aur fikr paida karti ho , 

*"__ Jab Tak Har Soobe ke Zimmedar 2-2 Mahine Khula Waqt Nizamuddin mai nahi guzarenge Saare Aalam se aane wale taqazo Ka Soobe mai rehne walo se koi Talluq nahi , ye samajhte rahenge Kaam Mulko mai ho raha Hai Hamare yaha'n nahi ho raha , Kaam hona ye nahi hai Kaam hona ye hai k Aalam ki Har Masjid ke Taqazo Ka Talluq aur Un taqazo ke poora karne Ka Talluq Barahe Raast Nizamuddin se ho ,iski zarurat hai _,"* 

------- *( Purano Mai Baat Ka Khulasa Alhamdulillah Yaha Mukammal Hua )*, 

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
 *Hazrat Maulana Sa'ad Sahab DB_( Purano Mai Bayan-Aurangabad ijtima-2018),*.
☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*,
                         
              ⚀ *Talib e Dua*,
             ⊙ *Haqq Ka Daayi*,
http://www.haqqkadaayi.com/search/label/Dawat%20Tablig?m=0 
 *For all msgs Plz Visit*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔            

Post a Comment

 
Top