*TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Ek Uropian Aadmi Ke Sawataat Ka itminaan Bakhsh Jawab --*
↬• Hazrat Maulana Umar Palanpuri Reh. Ki khidmat mai ek Uropian Aadmi aaya aur arz K Mujhe Chand Swalaat darpesh hai'n ,Agar Aap Ranzida khatir na ho to Mai'n Saaf Tor per pesh karu ?
★• _ Aapne usko itminaan dilaya aur be takalluf Sawalaat karne ki ijazat de di ,
★• _ Usne Kaha k Asmaani Kitaabe Torait , Zaboor ,Injeel us Daur ke munasib haal naazil Hui thi , Aakhir mai naazil hone Wala Qur'an ye bhi Ount aur Talwaar ke Zamane Ka Hai , Ab Rocket aur Atomaat Ka Zamana Hai ,
★ • _Lihaza Ab Muhammadi Qur'an ke bajaye Koi modern Kitaab honi chahiye ya Yu'n samjhe k Torait mai Koi kami thi Wo Zaboor mai poori ki gayi aur Zaboor ki kami ko Injeel mai poora kiya gaya aur Injeel ki kami ko Qur'an mai poora kiya gaya Hai , Ab is Daur ke munasib haal Jo kami Mehsoos ho rahi Hai Wo modern Kitaab nikaal Kar Poori karni chahiye ,
★. _ Ya to Jesa k Aapka Aqeeda Hai k Khuda Ta'ala Aleem v Hakeem Hai aur ye Qur'an Qayamat Tak ke liye Naazil kiya gaya Hai to Allah Ta'ala ibtida hi se Tamaam Ambiya ke liye ek hi Kitaab Tay kar dete ,?
★• _ Uropian Aadmi ne Ek hi Sawal ki Kai Shakle nikaal Kar Jawab Talab Kiya ____,
↬• Hazrat Maulana ne Jawab mai farmaya k Aapki Umar kitni Hai ? Usne kaha k Tees Saal ki Meri Umar Hai ,
★• _ Maulana ne farmaya k ye Aapki bharpoor Jawani Ka Zamana hai ,Ab Aapka ye qado qaamat na badhega aur na ghatega ,Jiski vajah se Aapke Libaas ki Size Jo is Waqt Hai Yahi Size Maut Tak rahegi ,
★• _ Jab Aapki Umar ek saal ki thi to Aapka Kurta Aapki Walida ne Bahut chhota banaya Tha ,Jab Do Saal ki Umar Hui to Fir Kurte ki Size badal kar kuchh bada banaya , Jab Paanch Saal ki Umar Hui aur Bada Kurta banaya , isi tarah Size badte badte Mojooda Size Tak pahunchi ,
★ •_ Ab Aapki is Waqt Jo Umar Hai ye wo Zamana Hai k Ab Aapka qado qaamat Maut Tak yahi rahega aur Libaas ki Size bhi yahi rahegi ,To yaha'n Aap ye nahi Keh sakte k Mai'n ek saal ya do saal Wala chhota kurta Jo Aapki Walida ne banaya Tha ye Walida ki Bhool Chook thi , Balki isko Aap tasleem karte hai'n k Wo Bachpan Ka Zamana Tha ,
★. _ Jo Jo qado qaamat badhta gaya Libaas bhi us aitbaar se badhta raha Hattaki Jawani Ka Zamana ye Wo Zamana Hai k Ab qado qaamat badhne ghatne Ka Sawal na raha , isliye yahi size Maut Tak rahegi to Allah Ta'ala yaqeenan Aleem v Hakeem hai ,har Zamane mai Jo kuchh kiya aur kar raha Hai usme na Bhool Hai aur na Chook , Sirf Samajh Ka Farq Hai ,
↬• Samajh Ka Farq Wo ye Hai k Hazrat Aadam Alaihissalam Sabse pehle Nabi aur Aadmi hai'n ,Ye Zamana insaniyat ke aitbaar se Bachpan Ka Zamana Tha, Unke munasib haal Ahkamaat diye gaye ,
★• _ Fir Nooh Alaihissalam Ka Zamana aaya , insaniyat ke Maiyaar mai jis qadar tabdeeli aayi uske munasib Awamir diye gaye ,isi tarah Torait, Zaboor,Injeel aur in Kitaabo mai bhi ba-qadre zarurat farui ahkaam mai tabdeeli ki gayi yaha Tak k Aakhir mai Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Jab Tashreef laye to theek Poore Aalam Ka Zamana Wo Tha Jo is Waqt Aapki Jawani Ka Hai ,
★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Qur'an mai wo usooli cheeze Jinme Tamaam Ambiya Alaihissalam muttahid v muttafiq hai'n ,Maslan Toheed ,Risalat , Akhirat vagera inke alawa faru'aat mai tarmeem ke Saath Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ko Wo Ahkamaat aur Zaabte diye gaye Jo Poore Aalam ke liye aur Qayamat Tak ke liye Kaafi Hai ,
★ • _ isliye Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki Nabuwat per Rehmatul Aalameen aur Khatimul Nabiyeen ki muhar Sabt Kar di gayi aur iske Saath Qur'an mai bhi ye Elaan Kar Diya gaya - Aaj Tumhare liye Tumhara Deen Mukammal Kar liya aur Tumhare ouper Meri ni'amat taam kar di aur Tumhare liye islam ko Deen bana Kar Mai'n raazi ho gaya ,
★. _Lihaza ab Aapke baad Koi Nabi nahi aayega aur Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Wala tareeqa qayamat Tak Jaari rahega aur yahi tareeqa Poore Aalam ke liye baa'ise Rehmat v Barkat hoga ,
↬• Us Uropian Aadmi ne Mazkoora Baat gor se Sunne ke Baad Doosra Sawal pesh Kiya ,
★• _ K Jab Nabiyo'n Ka aana baa'ise Rehmat Hai aur Nabiyo'n ke silsile Ka band ho Jana baa'ise zahmat Hai ,Fir Aapka Khatimul Nabiyeen hona baa'ise fazilat kese ho Sakta Hai ,Jab Aapko Khatimul Nabiyeen tasleem kiya Jaye to Rehmatul Aalameen kese ho sakte hai'n aur Agar Rehmatul Aalameen hona Tasleem kiya Jaye to Khatimul Nabiyeen kehna kese Sahi ho Sakta Hai ?
★• _ Hazrat Maulana ne Jawab Diya k Beshak Muhammad Sallallahu Alaihivasallam per Nabiyo'n Ka Silsila band kar diya,Magar Aapne Nabiyo'n Wala Kaam band nahi Kiya ,balki Tamaam Ambiya Wala Kaam Apne makhsoos Tareeqe ke Saath is Ummat ke hawale Kar diya ,Taki Ummate Muhammadiya Ta Qayamat Tamaam Ambiya ke Anwaraat aur Unki rehmate aur Barkate Muhammadi Muhar ke Saath haasil Kar sake ,
★ • _ isliye Qur'an mai Ambiya Ka zikr karne ke Baad Aapki Shaan mai farmaya gaya Hai _ " Ey Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Tamaam Ambiya Hidayat per they aur Sidhi raah chale hai'n ,Aap bhi Unki chaal chale ," aur Jo Hukm Aapko hoga Ummat bhi uski mukallif hai Basharte k Aapke liye Wo hukm Khaas na kar diya gaya ho , Lihaza Ummate Muhammadiya Tamaam Ambiya ki chaal chalegi Muhammadi Tareeqe ke Saath ,
★. _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Tamaam Ambiya Wala Kaam bhi kiya aur teesra makhsoos Kaam ye Kiya k Aapne Kaam karne wale Daayi taiyaar kiye , Aapki iqtda mai Ummat Deen per Amal karegi aur Doosro mai A'amaal zinda karne ki koshish karegi aur Teesra is Ummat Ka makhsoos Kaam ye hoga k Dawate Deen Ke Liye Daayi taiyaar karegi Taki Poore Aalam mai Ta Qayamat Deen zinda aur tabandah rahe ,
↬• Ambiya Sabiqeen mai Ismaiyl Alaihissalam Apne gharane ke liye mabous hue to ye ummat bhi Apne gharane mai Dawate Deen Ka Amal Kar ke Ismaiyl Alaihissalam Wala Noor haasil karegi Muhammadi Muhar ke Saath,
★• _ Aur Nooh Alaihissalam,Hood Alaihissalam aur Saleh Alaihissalam Apni qaumo ke liye mabous hue they, Ye Ummat bhi Apni qaumo mai Dawate Deen Ka Amal kar ke in Ambiya Alaihissalam ke Anwaraat haasil karegi Muhammadi Muhar ke Saath ,
★• _ Soheb Alaihissalam Taajiro mai mabous hue aur Qaume Saba ke Terah (13) Ambiya Kisaano aur Jageerdaro mai mabous hue, Ye Ummat bhi in tabqo mai Dawat Ka Amal kar ke in Ambiya wale Anwaraat haasil karegi Muhammadi Muhar ke Saath,
★ • _ Aur Hazrat Moosa Alaihissalam Hukumat walo mai mabous hue, Ye Ummat bhi Hukumat walo mai Dawate Deen Ka Amal karegi , Moosvi Noor haasil karegi Muhammadi Muhar ke Saath, Algaraz Aalam ke Sab Tabqaat mai Ta Qayamat ye Ummat Dawate Deen Ka Amal kar ke Saare Ambiya Alaihissalam ke Anwaraat aur Rehmate v Barkate haasil karegi Muhammadi Muhar ke Saath,
★. _ Lihaza Aapka Khatimul Nabiyeen aur Rehmatul Aalameen hona Sharf v fazilat aur Rehmato aur Barkato Ka baa'is Hai aur Ummate Muhammadiya ke liye imtiyaz bhi hai aur baa'ise fakhr v aizaaz bhi hai , Neez Muhammadi Tareeqa Mojooda Daur mai bhi Amno Amaan Ka Baa'is Hai , Basharte k Dawate Deen Ka Amal Nahaje Nabvi per kiya Jaye, Mojooda Daur ki Pareshaniya aur Shar v Fasaad in modern Tareeqo ki ijadaat hai'n aur modern tareeqa Amno Amaan qaa'im Rakhne mai nakaam aur fail Saabit ho chuka Hai ,
★• _ Us Uropian Aadmi ne Hazrat Maulana ki baate sun Kar kaha k Mujhe Apni Zindgi mai Koi mutma'in kar Sakta Tha ,Aaj Aapne mujhe kaamil mutma'in kar diya aur Aaj se Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ko Khatimul Nabiyeen aur Rehmatul Aalameen hona Tasleem karta hu'n, Ab Sirf ek Baat maloom karna chahta hu'n Wo ye k Kya is Daur mai Muhammadi Tareeqa apnane ke Baad chain sukoon aur Amno Amaan qaa'im hone Ka Koi Namoona bhi mojood Hai ,
"__ Iske Jawab mai Maulana ne farmaya k Atraafe Aalam mai Jaha'n per Dawate Deen ki Mehnat Nahaje Nabuwat per ki gayi Hai, Kai qaumo aur Mulko ke senkdo afraad ne Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Wala tareeqa apnaya ,Jiske Nateeje mai unko mail Muhabbat aur chain sukoon wali Zindgi naseeb Hui , is silsile mai hamari ek Jama'at ki kaarguzari Jo Afriqa gayi Hui thi mukhtasar Tor per isko sunane per iktfa karta hu'n,iske baad Aapne Afriqa mai gayi Hui Jama'at ki kaarguzari sunayi ,,,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Umar Palanpuri Reh*.
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Umar Palanpuri Reh*.
☞ *Allah Ke Paigam ko Duniya tak Pahunchana aur Apne Per Mehnat Karna Hamare Faraiz me Shamil He*,
⚀ *Talib e Dua*,
⊙ *Haqq Ka Daayi*,
http://www.haqqkadaayi.com/search/label/Dawat%20Tablig?m=0
*For all msgs Plz Visit*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
⚀ *Talib e Dua*,
⊙ *Haqq Ka Daayi*,
http://www.haqqkadaayi.com/search/label/Dawat%20Tablig?m=0
*For all msgs Plz Visit*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☆
☆
Post a Comment