*TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Dahriya ( Naastik )Doctor Ko Khuda Ka Qaa'il Karna-,*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Dahriya ( Naastik )Doctor Ko Khuda Ka Qaa'il Karna-,*
↬• Dhaaka Jane wale Air mai Japan se Digree yafta ek Doctor bhi Tha , Hazrat Maulana Umar Palanpuri Sahab Reh. ke Saath ho gaya ,ye Gair Muslim Dahriya Tha,
★• _ Baat cheet ke dauran Maulana se kaha k Khuda ke bare mai Aapse Sawal karna chahta hu'n ? Hazrat Maulana ne ijazat de di , Doctor ne Sawal kiya Mai'n Khuda Ka Vajood Tasleem nahi karta hu'n , isliye k Khuda Ka vajood hota to zaroor dikhayi deta aur Jo dikhayi na de usko Aqal kese tasleem Kar sakti Hai, isliye Mai'n Khuda ko aur uski Kitaabo Bible aur Qur'an ko bhi tasleem nahi karta hu'n ,
★• _ Maulana ne farmaya- Pehli misaal lijiye , Air mai bethe hue Sabhi insaano mojood Hai aur Aap mai bhi mojood Hai Halanki dikhayi deti nahi hai, Mahaz nishani se Aqal Ka hona tasleem karte hai'n,
★ • Nishani ye hai k Aadmi dhang se Baat karta Hai aur dhang se kaam karta Hai aur Jis Aadmi mai Aqal nahi hoti Hai to usse bedhang pan sarzad hota Hai, Gaaliya'n deta hai ,Kapde faqdta hai vagera ,
★. Doctor ne dikhayi na dene wali Aqal ko nishani se tasleem Kar liya , Doosri misaal lijiye - Air mai bethe hue Sabhi insaano mai Rooh mojood Hai, isliye k Sab mai harkat mojood Hai aur ye Nishani aur Daleel hai k inme Rooh mojood Hai , Halanki Rooh dikhayi nahi deti Hai, Doctor ne na dikhayi dene wali Rooh ko Nishani se tasleem Kiya ,
★• _ Teesri misaal lijiye k Aapko log Doctor tasleem karte hai'n isliye k Aap Dava dete hai'n aur Log Shifayaab Hote hai'n to is Nishani se log Aapko Doctor tasleem karte hai'n halanki unhone Aapki Degree nahi dekhi aur na University Mai taleem ke hate dekha hai, Doctor ne isko bhi tasleem Kiya ,
↬• Chothi misaal lijiye- Bayabaan Jungle mai Aapne Ek Makaan dekha ,Lekin Tameer karne wale ko nahi dekha ,bavjood iske Aap tasleem karte hai'n k is Makaan ki tameer karne Wala zaroor Koi Hai to Aapne Makaan ki nishani se Tameer karne wale insaan ko tasleem Kiya Halanki Aapne usko dekha nahi Hai ,
★• _ Paanchvi misaal to Esi pesh ki k Ek Aam aur Jaahil Aadmi bhi Asal Cheez ko bager dekhe Mahaz Nishani se tasleem karta Hai Wo ye Hai k - Jungle mai kisi ne Ount ki mengniya'n aur Paanv ke nishanat dekhe , Halanki usne Ount ko nahi dekha hai,iske bavjood Ount Ka vajood aur Uske guzarne ko mahaz Nishani se tasleem karta Hai, in Tamaam misaalo mai na dikhayi dene wali Cheezo ko Doctor ne Mahaz Nishaniyo se unka vajood tasleem Kiya,
★• _ Iske baad Hazrat Maulana ne Doctor ke zahan mai Asal mudde ki taraf mutavajjah Kiya , farmaya k padhe likhe insaano ki Aqalo per Khuda Jane Kyu Parde pad gaye hai'n k Khuda ke Vajood ki Hazaaro nishaniya'n Jo poori Kaaynaat mai faili Hui hai'n un Aqal walo ko Kyu dikhayi deti nahi hai , itna bada Asmaan ,Zameen ,Chaand ,Suraj aur Sitaaro Ka Nizaam , Kya ye nishaniya'n nahi Hai us qadire mutlaq Khuda ki Jo iske vajood bakhshne wala hai ,Neez karodo insaano ki Awaazo aur rango Ka Mukhtalif hona aur Raat aur Din Ka vajood qudrat ki Nishaniyo mai se hai'n ,
★ • _ Doctor Haqa'iq aur Thos daleelo ke saamne hathiyar daal chuka Tha aur Air mai bethe log is manzar ko dekhne aur Sunne mai Mast aur mahu they , Doctor ne aitraaf aur iqraar kiya aur iska iZhaar kiya k Mujhe Aaj Tak Koi Khuda Ka vajood na samjha saka ,Aapne mere liye ye Masla waaze Kar diya ,Aaj Mai'n Khuda ke Vajood ko tasleem karta hu'n , Ab Dhaaka Ka Hawaai Adda aane Wala Tha , Doctor ne Maulana Ka pata liya aur Aa'inda mulaqaat Ka Vaada Kar ke rukhsat hua ,
"__ Hazrat Maulana ne is qisse ko Bayan karne ke baad Majme se farmaya k maine Jo baate Doctor ko pesh ki iski Rehnumayi Qur'an mai ki gayi hai , Chunki Zameen v Asmaan Ka Maalik aur Khaaliq dikhayi deta nahi Hai, isliye Apni nishaniya'n Kaaynaat mai faila di hai aur insaano ki Aqalo ko challenge karta Hai k tum Apni Aqalo se kaam lo to bhatke hue aur Galat qism ke log ya to Aqal se Kaam hi nahi lete hai'n ya Sirf Aqal hi se kaam lete hai'n, isliye jaha Tak Aqal ki had hai Wahi Tak isse Kaam lo ,iske baad Wahi e Khudawandi Ka Sahara lo , isliye Qur'an E Kareem mai Kai jagaho per Apni nishaniya'n aur Ayaat ko bata Kar farmaya k Beshak is Kaaynaat mai nishaniya'n hai'n un logo ke liye jo Fikr karte hai'n , isme nishaniya'n hai'n un logo ke liye jo Yaqeen rakhte hai'n , isme nishaniya'n hai'n un logo ke liye Jo goro fikr karte hai'n ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Umar Palanpuri Reh*.
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Umar Palanpuri Reh*.
☞ *Allah Ke Paigam ko Duniya tak Pahunchana aur Apne Per Mehnat Karna Hamare Faraiz me Shamil He*,
⚀ *Talib e Dua*,
⊙ *Haqq Ka Daayi*,
http://www.haqqkadaayi.com/search/label/Dawat%20Tablig?m=0
*For all msgs Plz Visit*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
⚀ *Talib e Dua*,
⊙ *Haqq Ka Daayi*,
http://www.haqqkadaayi.com/search/label/Dawat%20Tablig?m=0
*For all msgs Plz Visit*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
☆
☆
Post a Comment