0

🌸🍀🌸

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
                                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈_ *Dawat Tablig- Qarne Awwal Ka Heera_*

↬• Jis Tarah Hazrat Maulana Ilyas Sahab Reh. Dawate Tablig ke mutalliq Kabhi Kabhi farmaya Karte they k Ye Qarne Awwal Ka Heera Hai,

★• Hazrat Sayyad Suleman Nadvi Reh. Tehreer farmate hai'n k :- mojooda tamaam deeni tehreeko mai Dawat Tablig Asal Awwal se zyada qareeb hai , Hakeemana Dawat Tablig ,Amr bil ma'aroof nahi anil munkar islam ke Jism ki reed ki haddi hai ,is per islam ki buniyad ,islam ki quwwat ,islam ki wus'at aur islam ki kaamyabi munhasir hai,

★• Aaj sabse zyada is kaam ki zarurat hai , Gair muslimo ko musalman banane se zyada Aham kaam Musalmano ko musalman ,Naam ke musalmano ko kaam ka musalman aur qaumi musalman ko Deeni musalman banana hai ,

★ • Haq ye hai k Aaj musalmano ki haalat dekh kar Qurane Paak ki ye nida k Ey musalmano !Musalman bano ( Ya ayyuhallazina Aamanu Aaminu ) Ko poore zor shor se buland kiya jaye , Shehar Shehar Gaanv Gaanv dar dar fir kar musalmano ko musalman banane ka kaam kiya jaye ,

★. Is raaste mai wo jafakashi ,wo mehnat ,wo koshish ,wo himmat ,quwwat sarf ki jaye jo Duniyadaar log Duniya ko haasil karne mai sarf kar rahe hai'n  ,Husoole maqsad ke liye junoon ki kaifiyat apne andar paida ki jaye jiske bager Deen v Duniya ka na koi kaam hua hai aur na hoga ,
   ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Hazrat Palanpuri Reh. Ne Bachpan Se Fikre Aakhirat aur Khofe Khuda sikha _*

↬• Aap farmate hai'n k Walida agarche Padhi hui nahi thi magar mere bare mai unki ye tamanna thi k mai'n Aalim banu ,

★• Aur farmate hai'n k Walida ko Quran to mene padhaya magar Mujhe Quran per Walida ne daala , har din Deen v imaan ki koi na koi baat zahan nasheen karati ,bachpan hi mai Ambiya ke qisse ,Khofe khuda paida karne wali baate sunati aur qayamat ki holnaaki se daraati ,

★• Ek martaba Walida ne farmaya k Qabr mai Do farishte aayenge aur Teen sawalaat karenge , Teen sawalaat bhi bataye aur uske jawab bhi , Fir doosre moqe per Qabr ke azaab se darana shuru kiya ,to Aapne farmaya k mujhe Farishto ke sawalaat aur Jawabaat yaad ho gaye hai'n  ,

★ • To Walida ne farmaya -qabr mai chamde ki zubaan kaam nahi degi Waha'n amal ki zubaan jawab degi , bas tum Amal karo aur Haraam Kya hai ? Halaal kya hai ? Mujhe bhi batao kyunki mai to anpad hu'n aur ab tum padhne lage ho ,

★. Walida farmati k Beta geebat karna chahe to meri kar liya kar taki baat ghar ki ghar mai rahe ,teri nekiya'n mujhko mile , Aap farmate hai'n k Walida ka mansha geebat se darana aur bachana tha , isliye k Aadmi bahut bhola bhaala hai ,Dushman ki geebat kar ke usko anni nekiya'n de deta hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Duniya Qadmo mai Aayegi _*

↬• Ek martaba Mumbai se Rishtedaar Aapki Walida ke paas Pahunch kar zahan saazi kar rahe they k school ki taleem mai iska natija achchha hai fir isko madarse ki taleem padha kar Molvi Mulla bana kar kya karogi ? Aapki Walida ne farmaya k Tum log Duniya Duniya kya karte ho ,Duniya to ek Din iske Qadmo mai aayegi in Sha Allah _,*

★• Mumbai mai kuchh muddat ke baad Ek Chille ki jama'at mai Markaz Nizamuddin pahunche ,Aap Us Safar mai Hazrat Ji Reh. Se Bayt ho gaye , Us Waqt Hazrat Maulana Yusuf Sahab Reh. ne Aspko bhaanp liya aur Aspko mashwara diya k Mumbai mai reh kar taleem poori karo ,Aapne Mumbai mai hi Karobaari Shagal ke saath hi Madarse ki taleem jari rakhi ,

★• Maulana ibtida se hi Apne bado ki baat dhyan mai le kar Amal karte they  aur isi mai unki taraqqi ka raaz tha , Haq Ta’ala ki taraf se har aan asbasb v wasa'il jaari saari hai'n magar har Aadmi jaddo jahad aur tofeeq ke baqadar mustafeed hota hai ,

★ • Aap jab ek Din hafte mai ghar jate Walida ko ghar mai Deen v imaan ki baate sunate ,Us Waqt Walida farmati Tumhari baat Aaj mai Akeli sun rahi hu'n magar ek waqt hoga k tumse lakho insaan Deen v imaan ki baate sunenge , Aapki walida ki dono Pesheen goiya'n Allah ta’ala ne Aapke haq mai poori farmayi ,Duniya bh Aapke qadmo mai aayi aur Lakho insaan Aapki baat ko sunne wale bane ,

★. Hazrat Maulana Palanpuri Reh.is silsile mai  Farmaya karte  they  k Jo bhi Deen v imaan ki mehnat ikhlaas aur istakhlaas se karega Khuda usko Duniya payr padi denge aur Jo Deen v imaan ki Mehnat na karega usko bhi Duniya milegi magar Sar chadi milegi , Aur Aapki poori zindgi iski shahid adl hai,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Chaar Maah Aaj Tak Poore na Hue _,*

↬• Markaz Dehli se ek Jama'at Jiske Ameer Qari AbdurRasheed Khorjoi they ,Mumbai mai Aapki Tashkeel ki aur Chaar Maah ke liye Aap Taiyaar ho gaye ,

★• Station per Aapke Rishtedar ,jinko maloom hua to Aapko Samjhane pahunche k Gharelu halaat tangdasti bata kar jama'at mai Jane ka iraada chhod dene per majboor kiya ,magar Usi Jama'at ke ek Saathi ( Munshi Anees Sahab idaara isha'at Deeniyaat ) Maulana ko ek taraf le ja kar farmaya k " Nabiyo'n Wala Kaam karoge to khuda tumhe zaaya nahi karega balki khuda tumko bhi chamkayega aur tumhari qaum ko bhi chamkayega _,"

★• WO Mutlaq Awaaz Shahe Haqeeqi ki hoti hai agarche Allah ke Bande ke halaq se ho , Maulana farmate they k mere ye Chaar Maah Aaj tak poore na hue aur Khuda kare poore na ho , Allah Ta'ala ne aapki ye Dua bhi qubool farma li aur Saari Umr is Dawato Tablig ke Raaste mai mashgool rahe yaha'n tak k Allah hi ke Raaste mai Aakri waqt aa pahucha ,

★ • Dehli markaz ki masjid mai Poore Ramzan Aitikaaf kar ke Aap Darul Uloom Devband mai doosri martaba 11 June ,1955 ko dakhil hue , Aap Taleem mai Mashgool ho gaye magar Apne murabbi Hazrat Ji Maulana Yusuf Sahab Reh. ki nasihat peshe nazar rehti k " Tumhe Taleem bhi haasil karna hai aur Tablig bhi karna hai ,Tablig mai is qadar munhamik na ho k Taleem ka nuqsaan ho aur Taleem mai bhi is qadar Mashgool na hona k Tablig ka nuqsaan ho ,

★. Is nasihat ke peshe nazar Aapne Apne waqt ki tarteeb is tarah jamayi k har hafte mai Chaar ghante tableeg ke liye faarig karte aur hafte bhar ke kaam ki tarteeb in Chaar ghanto mai Jama dete ,is tarah Aapke dono mashgale jari rehte they ,

★• Us waqt Darul Uloom Devband kya poore milk mai Tablig ka umoomi mahol na tha ,isliye baaz talba Aapka mazaaq udaate they magar Aap iski parwaah kiye bager talimi tabligi dono kaam anjaam dete rahe , Jab sah maahi imtihaan ke nateeje aaye aur Aap aizazi numbraat ke saath daure Hadees Sharif mai avval number per kamyaab hue to iske baad talba Aspke saath ho gaye aur Aapne iska khoob fayda utjaya aur khoob Tablig ka kaam kiya,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Walida Mohatrama Ki Wafaat _,*

↬• Jab Hazrat Maulana Umar Palanpuri Reh. Ki Walida marzul wafaat mai mubtila hui to Rishtedaro ne kaha k Devband se Muhammad Umar ko bhi bulwa lete hai'n,

★• To farmane lagi - Nahi Nahi use na bulao WO Deen ke kaam mai gaya hua hai mai'n to khaali haath hu'n Wahi mera zariya e Aakhirat banega aur Agar Allah mujhse puchhega k kya laayi ho ? To mai'n kahungi ek Chahete bete ko tere Raaste mai chhod aayi hu'n jise Maine juda na kiya magar tere liye ,

★• Jab inteqal ka waqt qareeb hua to Walida ne farmaya - mujhe khushbu aa rahi hai halanki Naak kaan muddat se ma'uf ho chuke they, iske baad Walida ne Salam kiya aur muskurayi fir behosh rahi ,Hosh aane per ghar walo ne maloom kiya to farmaya k Maine Apne Bete Muhammad Umar ko farishto ke darmiyan dekha to usne salaam kiya aur Bete ko dekh kar muskurayi ,

★ • Iske baad WO Aabida Zahida Khatoon Duniya ki tangi tarshi bardasht farma kar Apne pyare Bete ko fikre Aakhirat mai Sanwaar kar Allah ke hawale kar ke Allah ko pyari ho gayi ,

★.Usi Din Hazrat Maulana Umar Palanpuri Reh. ne Apni Walida ki khwab mai ziyarat ki Aapne maloom kiya k Amma Aap kaha'n ho ? To Arbi mai Jawab diya " Ana fil Jannah " mai'n jannat mai hu'n , aur farmane lagi tumne mujhe Hajj nahi karaya , iske baad Aapne Apni Walida ki taraf se Hajj karwaya aur isaale Sawab kiya ,

★• Aap farmate they k meri Walida har waqt mujhe Apne saath rakhti thi aur Raat mai bhi juda na karti aur Deen v Imaan ki baato ko khoob sunati aur Lambi Namaz padhati aur Lambi Dua karti aur Khuda ka Maalik v Khaaliq hona samjhati ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Ye Raasta Dekh kar Chalne Ka nahi ,Balki chal kar dekhne ka hai,*

↬• Hazrat Ji Reh. Ko ummat ka Jo Dardo Gam naseeb hua tha WO Dardo Gam Hazrat Maulana Palanpuri Reh.mai bhi muntaqil ho chuka tha ,Allah Ke Raaste ka Jazba har taqaze se baala Tar tha ,

★• _Jab Aap Dehli Markaz Pahunche to Hazrat Ji Reh ne Aapko Aligarh aur Khorja ki Dawat v Tablig ki garz se ek Chille ke liye rawana kiya ,Aspne waha'n Jam kar kaam kiya ,Fir Markaz mai Aapne Hazrat Ji Reh ke saath Aakhri Asre ka aitikaaf farmaya ,iske baad Aligrah ke ijtima ki mehnat ke liye dobara usi jaanib Rawana ho gaye ,

*___ Ye Wohi Khorja hai Jisme Faragate Taleem ke baad Aapka Pehla safar hua aur Aapki zindgi ka Aakhri Safar bhi isi Khorja ka hua tha _,*

★• _ Aap Umoomi ijtimaat mai farmate :- Ye Rassta ( Dawat v Tablig ) dekh kar chalne ka nahi balki chal kar dekhne ka hai _,"

★ • _ Aligarh ijtima se faragat ke baad Rail se Markaz Dehli ke liye Rawana hue they , Hazrat Ji Reh. Aur Hazrat Ji Maulana ina'amul Hasan Reh.ne mashwara kar ke Aapki tashkeel karte hue farmaya k Tum Jama'at le kar Hijaaj jaa sakte ho ,Waha'n Pahunch kar Hajj bhi kar Lena aur Aa'inda Saal doosre Hajj tak ( Wahi Reh kar ) kaam karna hai aur Doosra Hajj kar ke hi lautna hai ,Kya Tum itni Lambi muddat Hijaaj mai thehar sakte ho ? Hazrat Maulana Apni tabiyat ke khilaf taitaar ho gaya aur bado ki baat mai Zara bhi chu chara nahi kiya ,

★. _ Aap farmate hai'n k Jab mai'n Pehli martaba ( 1957 me) Hajj ke liye gaya to Baitullaah mai Khuda ke saamne Dua ki thi k ,
Ey Allah ! Duniya ke GAM se mere Dil ko faarig kar de aur Dawat e Deen ki Fikr se labrez kar de ," aur Ye Ash'aar Padhe _

"_( Tarjuma )  is Duniya mai bager GAM ka koi nahi hai, agar hai to WO insaan nahi hai _,"

★• _ Allah Ta'ala ne Aapki ye Dua qubool farma li , Aapke Bade Bhai Janab Abdul Kareem Sahab Poori Umr Aapke ghar ki tamaam zaruriyaat ki dekhbhaal karte rahe aur Unke Chhote Bhai Janab Yusuf Sahab mushtarak Karobaar ko sambhalte rahe ,Ibtida mai dono Bhaiyo'n ne Aapko Dawat e Deen ke kaam ke liye faarig kar diya tha ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Deen Aur Deen Ke Kaam se Muhabbat v Ishq _,*

↬• Jab Aap Hazrat Maulana Palanpuri Reh. Hijaaj Jane ki niyat se Mumbai pahunche aur Apne Bhaiyo'n Ke Mustaraka Karobaar ka hisaab dekha to Sab Bhaiyo'n per Hajj Farz ho chuka tha ,

★• _ Ye Ek khuli Barkat thi Aap Apni Jama'at ke Saath Bade Bhai ko Hajj ke liye le gaye , Bhai Hajj kar ke waapas hue aur Maulana Tabligi kaam mai mashgool rahe yaha'n tak k doosre saal Aapke Chhote Bhai Hajj mai Pahunche ,Waapsi mai Jama'at ke saath Chhote Bhai they, is Tarah Teeno Bhaiyo'n ka Hajj ho gaya ,

★• _ Hazrat Maulana Ke Mumbai pahunche ke baad Mumbai se 18 Aadmiyo'n ko taiyaar kar ke Heydarabad hote hue Dehli Markaz mai Pahunche ka Program ban gaya ,lekin Hazrat Maulana ke paas Paisa nahi tha to bator qarz 110 Rupiya le kar Jama'at ke saath Dehli Markaz Pahunche ,

★ • _ Hazrat Ji Reh. ne Aapko ghar Jane ki ijazat marhamat farmayi ,is per Aapne guzarish Ki k mere saath Jama'at kar dijiye , Deen ka Kaam Karta hua jaunga ,

★. _ Ab Khuda aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke laye hue tareeqe ke saath Muhabbat v ishq ka talluq ho chuka tha ,Jise Poori Zindgi Duniya ki koi haalat ya koi haadsa khatm na kar saka ,

★• _ Bahar Haal Hazrat Ji Reh. ne farmaya k Ab Seedhe ghar jao aur Wahi reh kar ye kaam karo , Aap tamaam ausaaf zaahiri aur baatini se maala maal ho kar khud chamak rahe they, Ab Qaum ko chamkane ki fikr ke saath 1957 ke Aakheer mai Aap Apne Watan Ghataman tashreef laye _,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
                
❈…… .. _*Aapki Zaat Baa'ise Sarmaya Aur Baa'ise Khairo Barkaat _,*

↬•  Musalsal aur Taweel muddat ke Safar mai Aapko Hazaaro mashaqqate ,Rukawato aur hadsaat ka saamna ho chuka tha,  ye Halaat Aapke Paye istaqlaal mai Jumbish na de sake ,

★• _ Aap Kaamil Yaqeen ,Tawakkul ,Sabro Raza jesi Sifaate Aaliya se Araasta ho chuke they, Lihaza Thakaan ya Ghar ke mashagil mai mashgool ho Jane ka koi Sawal hi na raha tha ,Aapki Hasaas tabiyat poori ummat mai badti hui La-ilmi aur Be-Deeni ko khoob mehsoos kar rahi thi , isliye Aapne Dawat Ilallaah aur Deeno Imaan ki mehnat ko apni zindgi ka pehla maqsad samjha aur isi maqsad ko apni zindgi ka wazifa aur audna bichhona bana liya ,

★• _ Aapki nazar mai Duniya hakeer ho chuki thi ,ab Duniya ki koi Taaqat ya rukawat is kaam ke liye maane nahi ban sakti thi ,Aap isi azme kaamil ke saath Apne Murabbi Hazrat Ji Reh. Ki ijazat se watan tashreef laye ,Ab Aapke saamne Chilla ,Chaar Maah ka Sawal nahi tha ,Zindgi ka ek ek Pal aur Ek Ek ghadi is Raahe Azeez mai waqf karna chahte they, Aur Aapka Ummat ke liye Dardo GAM Aapko Kisi haal mai bhi chain sukoon se bethne na deta tha ,

★ • _ Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki qeemti qurbaniyo'n se seenche hue baag se Aap Apni qaum ko mustfeed karna chahte they, isliye Aapne apni mehnat ka Maidaan Apni Qaum ( Momin ) ko banaya aur Dawate imaan ko pesh kiya aur Natijatan Alhamdulillah Poori qaum ke liye Baa'ise Khairo barkaat saabit hue _,"

★. _ Ghataman Aap tashreef laye to Gaanv walo ne yaha'n ke mahol ke aitbaar se baat cheet ki k Aapko Hijaaj mai Tableeg ki fikr hai aur Gaanv mai Madarsa Veeraan ho raha hai, Gaanv walo ke liye Tabligi kaam nayi cheez thi , Chille se log nawaqif they,  Gaanv walo ne Maulana ko madarse mai padhane ke liye majboor kiya ,Aap ek Shart ke saath taiyaar hue k Hafte mai Chaar Din Padhaunga aur Teen Din Tabligi kaam karunga iska mu'awza Kuchh na lunga ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Kaam Ke Zarra e Usool Aapki Rag Rag mai Samaye they _,*

↬•  _Aap Chaar din padhate aur Teen Din Tablig kaam mai mashgool rehte , is tarah Teen Din aur Das Din ki jama'ate Ghataman se bana bana kar ilaaqe mai bhejte rahe , Aapne ye kaam is fikr v lagan , jaddo jahad se  jaari farmaya k Gaanv Ghataman Mardo aur Jawano se khaali sa ho gaya ,

★• _ Ye Dekh kar Aapki Fufi Aurto'n se kehti k Dekho log to Bhainso'n ke Dabbe ( Gaadi ) bhar bhar kar bhejte hai'n aur mera Bhatija Aadmiyo'n ke Dabbe bhar kar bahar bhejta hai ,

★ •_ Ye halaat dekh kar Mardo'n mai charche shuru  ho gaye k hum ko to Chain se ghar rehne ko nahi milta ,bil Aakhir Maulana se Gaanv walo ne arz kiya k Aapko Tablig ke kaam Ki vajah se fursat na ho to Madarse ki khidmat moqoof kar dijiye , Maulana To pehle hi se taiyaar na they Ab Gaanv walo ki farmaish Maulana ko ganimat maloom hui aur Tablig ke liye poora waqt waqf kar diya , 

★. _ Aapki Zaat mai Ummat ka Dardo GAM tha ,Aap Kab Masjid ki imaamat aur Maktab ki Mudarrisi per per qana'at karte ,Aapko Sirf Gaanv aur Qaum hi nahi balki Aalame islaam ko Deen v imaan ka bhoola sabaq yaad dilana tha aur Kalme Namaz ki haqeeqat ko Dilo mai utaarna tha , Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka laya hua Deen aur Dard ummat mai aam karna tha , isliye Aap poori qaum ki taraf mutavajjah hue , Allah Ta'ala darja ba darja Aapse Kaam le raha tha ,

★• _Daayi ilallaah ko jin Awsaaf ki zarurat hai Kaamil Yaqeen, Saadgi ,Tawakkul ,Sabr v Tahammul afu vagera ,Allah Ta'ala ne Apne fazlo karam se Aapko inayat farmaye they aur Maulana ilyaas Sahab Reh. Ke qaa'im karda is kaam ke zarra e  usool Aapke rag rag mai samaye hue they,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Atraafe Palanpur mai Tablig ka Kaam _,*

↬• Aap Do Chaar Saathi bana kar ek Gaanv mai Program banate , Masjid mai Jab Aapka bayan hota to umooman Qur'an e Kareem ke waqiaat wali aayato ko Apne makhsoos sheeri lehje mai padhte , Majma khoob mutaassir hota ,

★• _ Aap khoob khol kar baat samjhate ,Aap umooman Gujarati mai bayan karte aur Tabligi kaam ki noiyat aur Haqeeqat ko khoob samjhate ,is tarah zahansaazi aur Kaam se unsiyat paida karne ke liye Aapne taqriban har Dehaat ka daura kiya , Aapki ye naqal harkat bahut se mujaahido aur mashakkato se bhari hui thi , Taqriban paidal safar hota , Baarish ,Garmi ,Sardi Koi uzr is kaam ke liye maane na tha , 

★• _ Fir qareeb ke do Chaar Gaanvo ko Jama karte aur bayan aur tashkeel Amal mai aati ,Aur us waqt ki noiyat alag thi , log kaam ko samjhe hue na they ,Nikalne ka Sawal hi na tha , isliye jabran Khuda kiya jata aur sabke saamne naam likha jata , maare sharm ke nikalne ke liye taiyaar ho jata , Jese jese log nikalte rahe Kaam samajh mai aane laga aur nikalne wala nikaalne wale ko Duae'n deta ,Kyunki Apni jahalat aur Pasmandgi ka khoob ahsaas hota ,

★ • _ Log har qism ke Sawalaat aur aitraaz karte magar Hazrat Maulana bager kisi mubahse ke nihayat aajizi aur wus'at zarfi ke saath is kaam ki tashkeel jaari rakhte aur farmate is kaam ke liye niklo tumhare saare Sawalaat hal ho jayenge ,aur saare fitno ka bhi hal hai ,

★. _ Aur Aap aitraaz karne walo ko bahut ahsan tareeqe se misaal de kar samjhate , Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh. ne Mewaat ke ilaaqe mai  jin halaat mai tabligi kaam ki ibtida farmayi thi Kamo besh Kuchh farq ke saath isi tarz per Aapne  Palanpur ke ilaaqe mai tabligi kaam ki ibtida farmayi , Aapko har waqt fikr rehti k qaum ka ek ek fard is Mubarak kaam ko apna le ,Ye Qarne Awwal ka Heera hai , Jisme Dono Duniya v Aakhirat ki kaamyabiyo ka waada hai ,

★• _ Aapne poore Gujarat ke daure shuru farmaye ,Poora Din umoomi khusoosi gashto aur halqo aur Taleem mai aur Raat ke Aakhri hisse mai khuda e Be niyaaz ke saamne Aaho Zaari aur ummat ki hidayat ke liye Duae'n, Ye Aapka Rozana ka mashgala tha ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Ibtida mai Ijtimaat Ki Noiyat _,*

↬• Ibtida hi se ilaaqe ke chand hazraat ne is kaam ko apna liya tha aur WO Hazrat Maulana ke saath Kaam mai Pesh pesh they, unme Aksar hazraat jama'at le kar poore ilaaqe mai fail jate aur Jis Dehaat mai ijtima tay hota uski Dawat dete aur Us Waqt ijtima mai haazri ki tashkeel aham hoti ,

★•_ Kyunki dehaatiyo mai chilla ,teen din ka rivaaj na tha, ye tashkeel ijtima mai hoti aur badi mehnat ke baad ek ya do jama'at nikalti aur Jama'at Dehli Markaz bheji jati aur Dehli se mulk ke door daraaz ilaaqo mai , Rafta rafta poore Gujarat ka ijtima hone laga ,Jisme Baroda ,Surat ,Bharuch ke log bhi pahunchte ,Gujarat ke kaam mai Hazrat Maulana Iysa Muhammad Reh. Hazrat Maulana ke saath dast raast they aur poore mujahide ke saath lambe lambe safar karte aur Thode thode waqfe se chhote chhote ijtimaat Amal mai aate jisse ek umoomi fiza aur mahol qaa'im hone laga ,

★• _ Door Daraaz Shehro mai naqal harkat ki vajah se Apni Jahalat aur Pasmandgi ka ahsaas paida hone  ,aur Din ba din logo ka ruju is kaam ki taraf hone laga ,

★ • _ Hazrat ji Reh. ne Hazrat Maulana ki Bairoon ki tashkeel farma di ,Aap 1959 mai Jama'at le kar Misr ke liye Rawana hue ,Misr mai khoob jam kar kaam kiya aur kaam karte hue Markaz Dehli pahunche ,Hazrat Ji Reh. ne Aapko is zimmedari ke saath rawana farmaya k Gujarat ke kaam ke bare mai Aapse Baaz puts hogi ,

★. _ Hazrat Maulana Reh. Ka Apne kaam per Yaqeen behad badh chuka tha aur Joshe Had se labrez tha magar Ahle ilm is kaam ki taraf tavajjoh nahi kar sake they Jiski vajah se Aapko becheni raha karti thi , Baaz Martaba Awaam hazrat maulana se Sawal karte k ye Mudarris Hazraat is Mubarak kaam mai kyu nahi judte , Aap Shaafi jawab farmate k

"_Awaam jahalat mai hone ki vajah se ye Noor wala Mubarak ka jaldi apna lete hai'n aur unki samajh mai bhi aa jata hai aur Mudarriseen Hazraat ko ilm e Deen ka Noor haasil hai ,isliye doosre Noor ki taraf aane mai Kuchh waqt lagega ,"

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Ilaaqe Ka Pehla Bada Ijtima Chhaapi mai _,*

↬• Hazrat Maulana Reh. ne kis lagan se kaam kiya hoga Kitni mehnate jheli hogi ,Kin kin mayoosiyo se guzarna pada hoga ,Isko Khuda Jane ya WO Jane ,Hum to sirf is qadar jaante hai'n k ek Din WO tha jab Teen Din ki jama'at nikalna dushwaar tha aur Doosra waqt ye tha 1962 mai Kaseer tadaad mai Allah ki raah mai Ijtima se jama'ate nikli ,

★• Ijtima mai Hazrat Ji Maulana Yusuf Sahab Reh. Pehli martaba Gujarat ke qasbe Chhaapi mai tashreef laye , Hazrat Ji Reh ke saamne atraafe Palanpur mai basne wali Momin Qaum se tarruf hua ,Aap bahut khush hue aur farmaya -

"__ is qaum mai Chaar Khususiyate esi payi jati hai k Poore Aalam mai majmui tor per kisi ek qaum mai ek saath nahi payi jati hai ,
_1- Avval -ye k Khaane Pine mai aur rehne Sehne mai Saadgi Payi jati hai ,
_2- Doosri -Ye k is qaum mai Khurafaat v Bid'aat nahi hai ,
_3- Yeesri ye k Apne Bachcho ko ilme Deen padhane ki ragbat aur Shoq v zoq paya jata hai ,Jiske liye har Dehaat mai maktab ka bandobast hai ,
_4- Choti - ye k Poori qaum khush haal hai,

★• _ Us Haqq Ke Daayi ( Hazrat Ji Reh. ) ne is qaum ( Momin ) ki Jo Khususiyate bayan farmayi hai'n khuda e Paak naslo tak isko qaa'im rakhe aur Duniya mai badhti hui aisho ishrat aur Fashion parasti se hamari Hifazat farmaye , ( Aameen )

★ • _ Chhaapi se Tashkeel shuda Bairoon ke liye 15 Jama'ate taqriban 19 January, 1963 ko Mumbai se Paani ke Jahaaz se iraaq ke liye Rawana hui ,

★. _ Aapki Jama'at jab Marakis Pahunchi ,Marakis mai Jab Aapne Dawat ke kaam ka tarruf karwaya to Ek Marakisi Shakhs ne Aapka Daaman pakad liya aur dhaadhe maar maar kar rote hue kehne laga -

*"_Ey India ke musalmano qayamat ke din Khuda ko Kya jawab doge Tumhara Daaman hoga aur hamara haath hoga , Hum khuda se Shikayat karenge k 40 saal se Deen ka kaam unke paas pahuncha hai ,Lekin hamare paas le kar nahi aaye , Hamare Baap Daada Jo be Deeni ki haalat mai mar gaye unka kya haal hoga ,"*

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Aapki Aalami Shohrat _,*

↬• March 1965 mai Hazrat Ji Reh. Ka safar magribi aur Mashriqi Pakistan ka Dawat ilallaah ke liye shuru hua , Jo Kai bade bade Shehro ka daura tha ,Is Safar mai Hazrat Ji Reh. ne Hazrar Maulana Umar Palanpuri Reh. Ko Apne saath rakha ,

★• _ Isi Safar mai Raiwand mai April 1965 mai Hazrat Ji Reh. is Duniya e Faani ko Khair Abaad kehte hue Apne Rab se Ja mile , Hazrat Ji Reh ke visaal ke baad Mashware se Aapka mustaqil tor per Markaz Dehli mai rehna tay kiya gaya ,Ab Aapke saamne Kaam ki aur Fikro ki noiyat badal gayi thi ,Ab poore Aalam ke kaam ki zimmedari aur har waqt iske liye koshish v fikr Daaman Geer rehti ,

★• _ Aapka Ye zamana bhi nihayat majahide wala tha chunki Aapke Bachche Madaris mai zere Taleem they aur un Bachcho ki Walida Sahiba Watan mai aur Hazrat Maulana Markaz mai Raat Din Dawat ilallaah ki fikr aur jaddo jahad mai mashgool rehte ,Taqriban Chaar Sawal ka arsa isi tarah guzra , Baad mai Aap ghar walo ke saath rehne lage , Dawate Deen ke kaam ki mashgooli ke bavjood Gujarat ke kaam ki taraf khususi tavajjoh zaroor raha karti ,Tamaam Kaarkun hazraat ki Khair khabar aur zaroori mashware se nawazte Rehte,

★ • _Hindustan Aur Bairooni mulko mai hone wale bade ijtimaat mai Taqriban Aapka Bayan Khaas tor per tay hota ,Laakho insaan jam kar Deen v Imaan ki baate sunte aur Aapki Deen v Imaan ki baate Kaamil ikhlaas aur dard ke saath walwala angez hoti , Hazaaro insaano ki zindgiya ban jati aur Hazaro fisq v fijoor wale Raaste se tauba karte , Aur Hazaro insaan Apne jaan v maal ko Allah ke Raaste mai laga ne ka azm karte aur badi tadaad mai naqad nikalte ,

★. _ Aapke Safar aur anthak jaddo jahad aur uske natije mai Deen ki nisbat per insaano ki naqal harkat kisi insaan ke bas mai nahi hai Jab tak k Khuda ki madad Shamile Haal na ho ,Ye Aapki Sabse Badi Karamat thi Jo Allah Ta'ala ne Aapke haatho saadir farmayi aur Khuda ka waada hai k Jo bhi Ahya e Deen v  imaan ki mehnat karega Khuda uski madad karega ,

★• _Aap Bayanaat mai  Aksaro beshtar ye Shair tarannum ke saath v ilhana andaz mai padhte :-
*_Darde Dil Ke Waaste Paida kiya insaan ko ,*
*_Varna Taa'at ke liye Kuchh Kam na they Karubiyan,*

"_ Bhooko Ko khana khila dena aur Nango ko kapda pehna dena aur Kisi Haajat mand ki haajat ko poora kar dena ye bhi Darde Dil mai dakhil hai ,Magar Sabse badh kar Darde Dil ka Amal Jo ho sakta hai WO ye hai k insaano ko Jahannam ke Raaste se hata kar Jannat ke Raaste laya jaye ,aur unki abdul abaad zindgi ki fikro kudan paida ki jaye yahi Dard aur Fikro Kudan Ambiya Alaihissalam Duniya mai le kar mabous hue they, Aur Yahi Shewah Ambiya ke naayabeen ka raha hai ye Darde ummat Poore Aalame islam mai kai mazooriyo ke saath chalat firat kar ke poori ummat mai Deen v imaan ke paida karne ki jaddo jahad farmayi aur Poori Hayaat is jaddo jahad mai koi kami kasar na farmayi ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

…… .. _*Ijtimaat mai Aapke Bayanaat Ki Noiyat _,*

↬•  , Aap Bayan Ki ibtida mai Khutba Masnoona padhte , Umooman Aapke Bayanaat mai Qur'an e Kareem ke waqi'aat Jisme khuda ki Maan kar zindgi guzaarne walo ki kaamyabi aur na maanne walo ki tabahi ka Zikr hota ,

★• _ Jannat aur Jahannam ka Zikr bhi tafseel se is tarah farmate jese jannat poori aara'ish v zaiba'ish ke saath Aapke saamne mojood ho , Aayate Qur'aniya makhsoos khoobsurat ilhaan ke saath tilawat farmate k poore majma per ek  Kaif ka samaa bandh jata aur ESA maloom hota jesa k Qur'an Dil mai utarta ja raha hai ,

★• _ iske baad Toheed ki Baato ko misaalo se samjhate aur Khuda ki qudrat ko bayan farmate algaraz Tamaam khoobiyo ka jaam'a bayan hota jisse awam v khwaas yaksa tor per mustfeed hote ,Haqa'iq v ma'aruf ki badi baate sidhi Saadi misaalo se aam satah per laa kar bayan farmate Jisko sun kar har Aadmi Apne andar roohani kaifiyat mehsoos karta ,aur is Qadar mutassir hota k WO kam se kam Dawat ke kaam se manoos ho jata ,

★ • _ Aap Deen ka Shoq v zoq paida farma kar ragbat paida farma dete aur Apni jaan v maal ko Deen ke kaam ke liye be qeemat batla kar Allah ki raah mai khapane ko maqsade zindgi saabit karte they, is tarah poore majme ki zahan saazi farma kar Akheer bayan mai shoq v zoq ke saath Josh bhi mila dete jisse Allah ki raah mai nikalna asaan ho jata ,aur tashkeel mai aap esa andaz farmate k Aadmi apni jagah mutafakkir ho jata ,Naam likhwane walo ki Himmat afzaai karte aur khusoosi Duao'n se nawaazte ,

★. _ Aapki poori zindgi ki naqal harkat se saaf mehsoos hota jesa k Aap isi kaam ke liye paida hue hai'n aur Haqeeqat bhi yahi thi ,Hosh sambhalte hi Aapne Dawat ke kaam ko apna liya tha aur poori zindgi yahi ek mashgala raha ,

★• _ Farmate - Quroone Awla mai yahi Dawat ka kaam muhatam bishaan aur asal usool ke darje mai tha , Yahi vajah thi k Sahaba ne Dawat ke kaam ko apna liya aur poori Duniya per chhaa gaye , Agar Aaj bhi ummat e Muslima is kaam ko usooli tor per Apna le to khudayi Waada Jo Sahaba ke zamane mai poora hua, Aaj bhi Wahi waada hai ,Khuda Apne fazlo karam se Deeni aur Duniyavi sarsabzi aur shadaabi paida farma denge ,"
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Atraafe Palanpur Maiwaate Saani_*

↬• Tabligi kaam ko Sabse Pehle Maiwaati hazraat ne apnaya aur doosre number per Atraafe Palanpur mai basne wali momin qaum ne apni khush haali ki bina per mulk ke door daraaz ilaaqo mai is kaam ko pahunchaya ,

"__Qazi Abdul Wahab Sahab Reh.Ameere Jama'at Gujarat farmaya karte they k ilaaqa Palanpur maiwaate saani Hai ,Maiwatiyo ke baad baari ta'ala ne khush haal ilaaqe Palanpur ko khada kiya taki is kaam ko door daraaz pahunchaya ja sake,

★• _Hazrat Maulana Palanpuri Reh. Farmaya karte k Dawat Deen ke kaam ko maqsade Zindagi bana kar mulko mai chal fir kar Allah ka tarruf karao aur Allah ki qudrat samjhao aur Apni Zindagi ko Maindak ki manind na guzaro k Maindak jis jagah paida hua wahi fudakta raha aur wahi Mar Gaya ,Tum bhi Ghar v Dukaan Ghar v Dukaan kab Tak karoge Sahaba Kiraam khuda ke Deen ki Dawat ko le kar poore aalam mai fail gaye ,Makka aur Madina mai bahut kam Sahaba ki qabre hai'n , isi tarah Hume bhi Dawat ke kaam ko le kar mulko mai aur Duniya ke goshe goshe mai firna Hai aur laakho insaano ko jahannam ke raaste se hata kar Jannat wale raaste per Lana Hai ,yaha Tak k Allah ke raaste mai hi maut aa Jaye aur hamari qabre bhi wahi ban Jaye ,

★• _ Khush Naseeb hai'n wo hazraat jinhone Dawate Deen ko maqsade Zindagi banaya aur usi mai masroof rehte hue Allah hi ke raaste mai unka waqt aakhir aa pahuncha aur mulko mai apni qabro ko banwaa liya , Jisme hamare liye darse ibrat Hai in hazraat ke alawa Aalame islam mai  hazaaro Khuda ke Bando ne Deen ki Dawat mai masroof rehte hue apni jaan jaan aafree ke hawale kar di, Khuda e paak sab per rahmat farmaye ,Aameen.

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Dawat Ka Shakhsiyat Saazi Ka nahi Shakhsiyat Sozi Ka Hai_*

↬• Aap Maulana Reh. Hazrat ji reh.ke hawale se farmate hai'n k Ek Sahab Markaz mai tashreef laye aur Mashwara dene lage k Hazrat ji Aapko Dawat ke kaam ke liye Chand Shakhsiyato ko taiyaar karna chahiye Jisse ye kaam khoob phale, 

★•_ Hazrat ji Reh.ne farmaya k mere Bhai hamara ye Dawat ka kaam Shakhsiyat Saazi Ka nahi Hai balki Shakhsiyat Sozi ka Hai , Jab Tak Dawat ke kaam mai Shakhsiyat Sozi na hogi is kaam mai Rooh paida na hogi ,Hume Shakhsiyate nahi banani hai'n Hume Deen ka Kaam banana Hai ,

★• _ Hazrat ji Reh.ke hawale se doosri baat Bayan farmate hai'n k Ek bade Sahab ne bada ishkaal hazrat ji ke saamne rakha k tumhara ye tablig ka kaam Jo Chand sidhe saade Maiwaati karte hai'n isse is ummat mai Kya inqelaab paida hoga ,Jabki Mulk mai badi badi Sakhshiyato ne badi badi Sceeme banayi wo sab na-kaam ho gayi ,to Aapko is kaam se kya kaamyabi milegi ?

"___ Hazrat Ji Reh. Ne jawab mai farmaya k Aapki baat bilkul sahi Hai k Mulk mai Azeem Shakhsiyato ne Azeem Sceeme chalayi aur wo na-kaam hui , Vajah ye thi k badi badi Sceeme aur badi badi Sakhshiyat ke muqable mai rukawat bhi badi khadi ho jati thi ,Jiski bina per Wo Sceeme na-kaam ho jati thi ,

"_Raha hamara tablig ka kaam ye sidhe saade tareeqe per ho raha hai koi khatir mai nahi lata Hai isliye rukawat ke qabil hi nahi samajhte aur hamare is kaam ki misaal Deemak ke manind Hai Jis tarah Deemak aur uska Kaam dikhayi nahi deta Hai magar jab Ghar ke chaaro sutoon Deemak khokhla kar deti Hai to poori chhat gir jati Hai , isi tarah hamari Tabligi Jama'ate kufr ki chhat ke liye Deemak ka kaam kar rahi Hai ,Ye kaam karte karte Kufr ke Sutoon kamzor ho jayenge aur Jab waqt aayega to Kufr ki chhat giregi ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Kaam Ke Usool Hayatus Sahaba se Milenge_*

↬• Kaavi ke khusoosi Bayan mai Hazrat Maulana Palanpuri Reh.ne farmaya k Hazrat Ji Maulana Yusuf Sahab Reh. Se darkhwast ki k Dawat me usoolo ki Ek Kitaab Aap madun farma dijiye taki purane kaam karne walo mai usoolo ke bare mai ikhtilaf na rahe , Chunki Ek Purana ek baat ko Usool kehta Hai aur doosra doosri baat ko Usool kehta Hai ,is Vajah see unme ikhtilaf ho jata hai ,

★• _ Hazrat ji Reh.ne jawab mai do baate farmayi , Ek baat ye k Dawat ke kaam ke Usool ese nahi hai'n k jisme koi jazia mustashna na hota ho aur ye jazia moqa Mahal ke aitbaar se aapas ke mashware se tay karna hota Hai , isliye esa koi Usool Tay nahi kiya ja sakta Hai ,Har Zila ,har Mulk mai halaat aur moqa Mahal ke aitbaar se Usool mai lachak rakhni padti Hai ,

"__ Missal ke tor per Jama'at ka ye Usool bhi nahi banaya ja sakta k Dawat Ta'am Kisi jagah qubool nahi karni Hai aur na ye banaya ja sakta K har jagah Dawat Ta'am qubool karni Hai balki moqa Mahal ke aitbaar se lachak paida karni padegi , 

★• _ Doosri baat ye farmayi k Usool Qur'an aur Hadees aur Seerate Sahaba ki roshni mai likhe jayenge agar mai'n hi Usool likh du tab bhi poori ummat e muslima ka is per muttafiq hona zaroori nahi Hai Chunki Jo Kuchh mai'n likhunga wo Mera ijtihaad aur istanbaat kehlayega Jo doosre ke ijtihaad ke khilaf ho sakta Hai isliye is Masle ko Hal karne ke liye Hayatus Sahaba Teen Jildo mai likh di Hai ,

★ • _ Agar iska gor se mut'ala kiya Jaye to waqt ke manasib konse Usool per Amal kiya Jaye wo Sahaba Kiraam ki Zindagi se mil sakta Hai aur usi se Masle ka Hal ho jayega ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Khairul Quroon - Behtreen Zamana_*

↬• Maulana Palanpuri Reh.Hazrat Ji Reh. Ke hawale se bayan karte k Hadees mai farmaya Hai k Behatreen Zamana Mera Zamana Hai fir iske baad Wala Zamana fir uske baad Wala Zamana,

★• _ Hazrat Maulana reh.iski fafseer yu farmate k isse muraad zamane mai hone wale A'amaal hai'n - Jesa k kaha jata hai k nehar jaari Hai yaha nehar se muraad paani Hai ,aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke zamane mai Dawat aur ilm aur zikr ye teeno Amal ba darja zinda they , Ye teeno Amal jis zamane mai aur jis ghadi mai islan zinda honge to wo Zamana Behatreen qaraar payega aur Taba'in ke zamane mai ilm aur zikr ye do kaam islan they aur Dawat ka kaam tab'an Tha  , Jis zamane mai ye do kaam ilm v zikr islan zinda honge wo uske baad Behatreen Zamana shumaar hoga aur tab a taba'in ke zamane mai islan zikr ka Amal tha aur Dawat aur ilm tab'an tha ,Jis zamane mai sirf zikr ka Amal islan zinda hoga wo teesre number per Behatreen Zamana shumaar hoga ,

★• _ isliye agar aaj bhi Behatreen Zamana haasil karna Hai to teeno kaam ummate muslima mai islan zinda hone chahiye aur Jab teeno kaam ba darja zinda honge to Khuda usko Behatreen Zamana bana dega ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Aapka Ahle Watan aur Qaum se Aakhri Aam Khitaab_*

↬• Ye Taqriban 17 May ,1997 ki tareekh thi ,Aapki wafaat se chaar din Pehle Aap Apne gaanv Ghataman mai Qaum se Aakhri Khitaab farma rahe they ,Kise Khabar thi k Deen v imaan ki roshni failane Wala Aftaab anqareeb guroob hone Wala Hai ,

★• _ Aapne  Bayan mai ibtidayi berooni safar ki Kaarguzari per roshni daali aur islam aur Musalmano per Jo halaat aaye uski misaal mai daure siddiq ke halaat dohraye they aur us waqt Sahaba ne kis tarah Amal kiya Hume bhi in halaat mai wo A'amaal akhtyar karne hai'n ,

★• _ Bayan ke baad hasbe mamool poore Josh v zoq ke saath majme ki  tashkeel farmayi aur Allah ki raah mai nikalne walo aur iraada karne walo ke liye khususan duae'n farmayi ,aur Aakhir mai poore majme ko buland awaaz mai Salaam kiya ,

★ •_ Dua mai ye alfaz bhi farmaye k Ya Allah ! Ab mai'n zaief aur kamzor ho chuka hu'n ,Ye majma badi mushkil se vajood mai aaya Hai ,Ya Allah is majme ki hifazat farma ,

★. _ Chaar din baad bazariye car Ghataman se Ahamdabaad aaye fir Dehli ke liye rawangi hui aur nizamuddin pahunche , Subeh ko yaume Ashura per mamool ke mutabiq Bayan hua ,10-11 Muharram guzaarne ke baad 12 Muharram 1418 hijri ko madaris ke ijtima ke liye safar darpesh Tha Pehle Gangwarah Zila itaa mai ijtima Tha usme shirkat ke liye bazariye car Jana Tay Tha ,12 May 1997 ko Subeh awwal waqt mai namaz padhi aur khaadim se farmaya k mujhe gaadi mai bitha diya Jaye taki meri Vajah se doosro ko intezar ki takleef na ho ,

★• _ Aapki gaadi khorja pahunchi yaha pahunch kar Dua karana Tay Tha, Maualana ne istinja kiya ,Aapki himmat toot chuki thi ,Kuchh khane ke baad bhi himmat na hui thi farmaya k mujhe Dava khila kar Gaadi mai bitha do ,Aapko kaha Gaya k Aap ghanta bhar araam farma le aur baad mai aa Jaye ,is per Aapne farmaya k mai'n akela rehna nahi chahta qafile se alag kaha rahunga mujhe to saath le Chalo ,

"__ Khorja se waapsi mai sidha Aapko Hospital le Jaya Gaya  ,doosre din ifaqa hone ki Vajah se Subeh 11 baje Nizamuddin laya Gaya ,aur Aapke Hujre mai Lita diya gaya, Sab log Aapki Sahatyabi per masroor they ,Aap araam farma rahe they Taqriban 12 baje Deen v imaan ka Noor failane Wala Aftaab hamesha ke liye guroob ho gaya, Allahumma Ajirna fi musibata va akhlif lana khairan minha,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *_Deen v imaan ka Noor v Roshni Failane Wala Aftaab Hamesha Ke Liye Guroob ho Gaya_*

↬• 21 May ,1997 Ka Din Ummate Muslima ke liye Azeem haadse Tha ,Bijli ki tarah Poore Aalam Mai khabar fail gayi ,Is Haadse ne beshumar insaano ke dilo ko tadpa diya ,

"__Ye Ummate Muslima ka Azeem gam khwar aur Uske liye Raato ko uth kar Khuda e beniyaaz ke saamne ghanto rone Wala , Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke laye hue Deen ka sachcha dard rakhne Wala aur Ummat ki beDeeni per kudhne  Wala aur Deen v imaan ka Noor v Roshni failane Wala Aftaab aanan faanan guroob ho gaya aur Ummat Apne Azeem mohsin se mehroom ho gayi ,

★• _ Hazrat ji Maulana Yusuf Sahab Reh.aur Hazrat Ji Maulana In'amul Hasan Sahab Reh.aur Maulana Izharul Hasan Sahab Reh. Sab ek ke baad ek Duniya e faani se rukhsat hue to tasalli dene Wala mojood Tha ,Jisne Poori ummat ki khair khwahi ki aur Dawat ke kaam ki satah ko sambhala aur badhaya bhi , Aaj ye bhi Daage mufarqat de Gaya ,Har ek Dil magmoom aur hairat mai dooba hua Tha magar qaza e ilaahi per Raza ke Siva koi chaara na Tha ,

★• _ Isha ki Namaz Tak Basti Nizamuddin ke gali kooche insaano se bhar chuke they ,Hujoom zyada hone ki Vajah se Namaze Janaza Humayu ke Makbare ke bil mukabil Park mai hui ,fir waha se Panj Peera'n Qabristan mai Janaza Pahuncha ,Jaha ek chhote se hisse mai ek taraf Maulana Abdullah Sahab Reh ki qabr Hai ,doosri Jaanib Qari Abdur Rasheed Sahab Khorjoi Reh ki aur Teesri Jaanib Munshi Basheer Ahmad Sahab Reh ki aur Darmiyan Mai Poori Duniya ko be baak Dawate ilallaah ki baat ko pahunchane Wala thaka maanda musafir Khud Khamosh ho kar so gaya,

*_ Khuda e Paak Hume is Khasara e Azeem ka ni'amul badal ata farmaye aur Aapke naqshe qadam per chalne ki tofeeq aur himmat inayat farmaye ,Aameen,*

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Tadfeen se Pehle Khwaab _*

↬• Hazrat Maulana ke inteqal ke baad Madina Munavvara ke Mashhoor Aalim Maulana Abdul Mannaan Sahab ne khwab dekha ,

★• _ Ek majma Hai Jisme Huzoor e Paak Sallallahu Alaihivasallam tashreef farma hai'n aur waha tamaam Sahaba Kiraam Raziyallahu anhum mojood hai'n, itne mai dekha Gaya k Hazrat Maulana Palanpuri Reh Paidal chalte hue tashreef la rahe they ,Jab qareeb hue to Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Bahut ikraam kiya aur ek Joda uthaya aur Joda pesh karte hue farmaya - lo tum isko pehan lo aur farmaya k tum Bahut thak kar aaye ho Araam karo aur Aapka Bayan hamare Sahaba ko pasand Hai ,

★• _ Fir khwab dekhne wale kehte hai'n k usi ke foran baad hi Shekhul Hadees Hazrat Maulana Muhammad Zakariya Reh bhi tashreef le aaye ,

★ • _Haay  Afsos Aapki manzilat ko hum na pa sake , Aapki zaat majma kamalaat aur baa'ise khairo barkaat thi ,Aapko Apni hayaat mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki ziyarat ka sarf khwab Mai Kai baar haasil hua  aur Ajeeb waardate runuma hui ,

★. _ Hazrat Maulana Reh ke bade Sahabzade ne farmaya k 1977 mai Makka Mukarrama mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki ziyarat hui ,Aapne farmaya k Umar Apna moonh kholo , Aapne Apna luaabe dahan daalna shuru kiya hattaki Maulana ke moonh se luaab Bahar aana shuru ho gaya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Umar tumhara Pet bhar gaya ,Maulana Reh ne farmaya Haa'n pet bhar gaya ,

★• _ Ek martaba Aap Bimaar ho gaye ,Khwab mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki ziyarat Naseeb hui is haal mai k Aap Sallallahu Alaihivasallam farma rahe hai'n k Umar Madina se chal kar tumhari iyaadat ke liye aaya hu'n ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Hifze Qur'an aur Qur'an e Paak se Talluq _,*

↬• Hazrat Ji Maulana In'amul Hasan Sahab Reh se Qur'an hifz karne ke bare mai farmate k Dawat ki mashgooli ke saath nibh Jaye to Behtar hai ,

★• _ Chunache Masjide Nabvi mai Riyazul Jannah mai Hazrat ji hi se Hifze Qur'an ki ibtida farmayi aur Dawat ke kaam ke saath saath hi Chaar Saal ki muddat mai poora Qur'an hifz kar liya Tha ,aur iska khatm bhi Hazrat ji ke paas Riyazul Jannah mai Qur'an e Paak ki Aakhri Aayate suna kar kiya ,

★• _ Chunki Aapne badi Umar mai Hifze Qur'an kiya Tha ,is Vajah se Apne Aam Bayano mai ye baat farmate they k aksar bachpan ke Hafiz hote hai'n aur mai'n Pachpan ka Hafiz hu'n ,

★ • _ Maulana marhoom ko Qur'an e Paak se bahut gehra talluq Tha , Jaha'n moqa milta Qur'an e Paak ki tilawat shuru farma dete , is talluq ki bina per Dawat v Tablig ki  mashgooli ke bavjood Badi Umar mai Hifze Qur'an Paak ki daulat bhi haasil kar li ,aur Apne umoomi aur khususi bayanaat mai khutba masnoona ke baad daurane Bayan bade Dilkash andaaz mai Kaif v Suroor ke saath Qur'an e Paak ki aayato ki tilawat farmate ,esa mehsoos hota k Wo keh rahe ho :-
Qur'an mai ho  Gota Zan ey Marde Musalman ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Markaz mai Subeh Ka Bayan aur Hazrat Shekhul Hadees Reh.se Bayt_*

↬• Hazrat ji Maulana Yusuf Sahab Reh ke inteqal ke baad Markaz Nizamuddin mai Fajar ke baad Wala taveel Bayan jab Maulana Palanpuri Reh ke zimme aaya to uski ibtida mai ye noiyat hui k Markaz mai Maulana ke Bayan ke waqt ek jaanib Shekhul Hadees Hazrat Maulana Zakariya Reh tashreef farma hote aur doosri Jaanib Hazrat ji Maulana In'amul Hasan Sahab Reh tashreef farma hote ,

★• _ Dono buzurgo ne 15 din Tak Bayan suna ,fir teen din Tak Dono buzurg Hazrat Maulana Ilyaas Sahab Reh ki qabr ke paas Bayan khatm hone Tak muraqib rahe ,Jab Hazrat Shekhul Hadees Reh Saharanpur tashreef le Jane lage to Hazrat ji Maulana In'amul Hasan Sahab Reh se farmaya k Molvi Umar ke Bayan mai tumhe 40 Din Tak bethna Hai ,

★• _ Doosre moqe per jab Hazrat Shekhul Hadees Reh Markaz mai tashreef laye daurane qiyaam Maulana Palanpuri Reh se maloom kiya k kisse Bayt ho ? Maulana ne jawab mai farmaya k Pehle Hazrat ji Maulana Yusuf Sahab Reh se Bayt Tha ,Ab Maulana In'amul Hasan Sahab se hu'n , Hazrat Shekhul Hadees Reh ne farmaya- Pyare mere haath per Bayt kar le ,Chunache Aap Hazrat ji In'amul Hasan Sahab ke mashware se Bayt ho gaye aur Hazrat Shekhul Hadees Reh ne Aapko khilafat bhi inayat farmayi ,

★ • _ Is waqiye ke baad Aapko Hazrat Shekhul Hadees Reh se bahut muhabbat v azmat v aqeedat badh gayi , Jiski bina per Aap Apne Aam v khaas halaat ki ittela aur Mashwara Hazrat se lazmi bana liya Tha , Safar v hazar mai Apne halaat v kaifiyaat ke khutoot likhne ka bhi mamool rakhte ,Bairuni mumalik ke lambe safar ki Kaarguzari ke khutoot bhi tehreee farmate ,

★._ Neez Maulana Palanpuri Sahab Reh ne Kai baar Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki khwabo mai ziyarat farmayi Hai aur Dawate Deen ke Amal ke mutalliq Kai baar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne basharat di Hai , Khwab aur uske haqeeqate haal se  Hazrat Shekh ko zaroor ittela farmate , Hazrat Shekh khush hote aur mubarak baadi ke saath Duae'n dete ,

                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Achchha Gumaan Rakhe_*

↬• Hum Apne bare mai Allah se jo chahte hai'n ,Allah Ke Bando ke saath wahi maamla akhtyar kare ,

★• _ Agar Chahte hai'n k Allah hum per Raham Kare to hum doosro per Raham Kare , agar chahte hai'n k Allah hamari galtiyo'n ko maaf Kare to hum doosro ki galtiyo'n ko maaf Kare ,

★• _ Agar ranj v takleef aaye to Aadmi ghabraye nahi aur agar raahat v ni'amat mayassar ho to Aadmi itraye nahi ,isliye k Allah ka dhyan zaroori Hai ,Usko haasil karne ke liye Allah ka zikr Kare , Qur'an e Paak ki tilawat Hai , Duae'n maangna Hai ,

★ • _ Baaz logo se munasbat hogi aur Baazo se nahi hogi aur isme koi harj nahi Hai , isliye k koi Aadmi esa nahi Hai Jisse sabhi log muhabbat karte ho ,

★. _ Hazrat Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu ne baare khilafat Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke hawale farmaya to us waqt ye Ajeeb baat irshad farmayi -"_ Bahut se Aadmi Aapse muhabbat karenge aur Bahut se narazgi akhtyar karenge , har ek Aadmi mizaaj ki munasbat se maamla karega _," ...to fir hamari tumhari Kya haisiyat Hai ,hum esa kyu samajhte hai'n k Saare log hamari haa'n mai haa'n milaye ,esa hargiz nahi hoga ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Halaat se Mutassir hona Ayb nahi_*

↬• Aurte'n Aam tor per ulti baate karti hai'n, to unse Mashwara karo ,Lekin Jo raay wo de uska Ulta karo ,

★• _ Jab ulti ko ulat doge to sidhi ho jayegi ,nafi ki nafi asbaat ka faayda deti Hai , Lekin ye maqoola Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ka saabit ho Jaye to qaa'ida kulliya nahi hoga , Aksariyat ke Hukm Mai aa sakta Hai ,

★• _ Halaat se Mutassir hona Ayb nahi Hai lekin is qadar Mutassir hona k Allah ka Hukm toot Jaye ye ayb Hai ,

★ • _ Apne group ki na-haq tarafdaari karna aur doosre group ki Haq talfi karna iska naam asbiyat Hai aur ye asbiyat Aadmi ko Allah se door kar deti Hai ,

★. _ Apne Aapko itna bhaari bhar kam na banao ( Yani Dilo dimaag mai badaai ka tasavvur na rakho ) k koi bhi baat ya nasihat karna chahe to na kar sake ,balki Apne Aapko mutawaze banaye rakho ,taki har koi be takalluf nasihat aur bhali baat keh sake ,

★• _ Baazo ko Haq baat tasleem karne mai Apni naak kat ti Nazar aati Hai ,isliye naak itni lambi na banao k katne ka Sawal paida ho ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

…… .. *Ijtimayi Kaam mai Bhale Aur Bure Sabko Nibha Kar Chalo_*

↬• Allah se lene Wala Bano aur Mehboobe Khuda bano aur Bando ko dene Wala Bano ,aur Mehboobe khlaqe Khuda bano to Allah ka bhi Mehboob hoga aur Bando ka bhi Mehboob hoga,

★• _ Jo Gunahgaar Tauba v istigfaar kar ke Allah Ke saamne gidgidata Hai  wo Allah Ta'ala ki zyada Mehboob Hai us shakhs se Jo Amal kar ke Fakhr aur badaai mai mubtila ho ,

★• _ Apne andar vajooh ikraam talash karoge to Aapas mai tod hoga aur doosro ke andar vajooh ikraam talash karoge to jod hoga ,

★ • _ Agar Kisi ko Taqwa Yani Khuda ka khof aur Raato ka Rona mayassar Hai to Allah Ta'ala ese logo ka Roab doosro per daal dete hai'n ,

★. _ Ijtimayi Kaam mai Bhale Aur Bure Sabko Nibha Kar chalna Hai , Ye kaam Kisi ko galat aur bura samajh Kar chhaantne ka nahi Hai , Agar Chhaantne Wala Amal rahega to aahista aahista log kam hote jayenge aur us Chhaantne Wale mai bhi koi kamzori dekh Kar doosra usko bhi chhant dega ,Natija ye hoga k Aadmi hi khatm ho jayenge ,Kaam aur Usool ka Mahal bhi nahi rahega ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

         ❈…… .. *Nafs aur Shaitaan_*

↬• Shaitaan aur Nafs ye Dono insaan ke dushman   hai'n ,lekin bada dushman Nafs Hai , Chunki Shaitaan ko Nafs hi ne gumraah kiya Tha,

★• _ Aur Badaai ka maadda bachpan hi se hota Hai ,Bachche ko Kisi maamle mai saraha Jaye to khush hota Hai aur usko nikamma aur bekaar kaha Jaye to wo na-khush hota Hai, Ye badaai ka maadda bade mujahide ke baad Aadmi mai se sabse Aakhir mai nikalta Hai ,

★• _ Baaz Deen ka kaam karne wale Aadmi buzurgo se qareeb hote hai'n magar Dil se door hote hai'n aur Baaz Aadmi Deen ka kaam door Reh Kar karte hai'n magar wo buzurgo ke Dil se qareeb hote hai'n ,

★ • _ Shadi ko kam Kharch wali aur Sasti aur mukhtasar banao to Zina ka vajood mehnga aur mushkil ho jayega aur agar Shadi zyada Kharch wali aur mehngi banaoge to Zina sasta aur aam ho jayega , mizaaje Shari'at ye Hai k Shadi ko asaan mukhtasar aur Saadi karo ,

★_ . Zindagi mai Deen ko muqaddam karo aur Duniya ko moakhar ,to Zindagi Deen ban jayegi aur agar Duniya ko muqaddam kiya aur Deen ko moakhar kiya to Zindagi Duniya ban jayegi ,

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

📃 *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Umar Palanpuri Reh*.

☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*,
                         
              ⚀ *Talib e Dua*,
             ⊙ *Haqq Ka Daayi*,
http://www.haqqkadaayi.com/search/label/Dawat%20Tablig?m=0 
👆🏻 *For all msgs Plz Visit*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             ------------
→❃ *Bhopal Aalami Ijtima*,
      ❃ *25,26,27,November, 2017*_
   ❃ *Tarteeb Banaye, Tashkeel Kare,*
        ❃ *Shirkat Kare*, ━═─────────────────═━

Post a Comment

 
Top