0

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHENIJAAT⚵ HAi*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _ *Dawat Tablig- Qarne Awwal Ka Heera_*
↬• Jis Tarah Hazrat Maulana Ilyas Sahab Reh. Dawate Tablig ke mutalliq Kabhi Kabhi farmaya Karte they k Ye Qarne Awwal Ka Heera Hai,
★• Hazrat Sayyad Suleman Nadvi Reh. Tehreer farmate hai'n k :- mojooda tamaam deeni tehreeko mai Dawat Tablig Asal Awwal se zyada qareeb hai , Hakeemana Dawat Tablig ,Amr bil ma'aroof nahi anil munkar islam ke Jism ki reed ki haddi hai ,is per islam ki buniyad ,islam ki quwwat ,islam ki wus'at aur islam ki kaamyabi munhasir hai,
★• Aaj sabse zyada is kaam ki zarurat hai , Gair muslimo ko musalman banane se zyada Aham kaam Musalmano ko musalman ,Naam ke musalmano ko kaam ka musalman aur qaumi musalman ko Deeni musalman banana hai ,
★ • Haq ye hai k Aaj musalmano ki haalat dekh kar Qurane Paak ki ye nida k Ey musalmano !Musalman bano ( Ya ayyuhallazina Aamanu Aaminu ) Ko poore zor shor se buland kiya jaye , Shehar Shehar Gaanv Gaanv dar dar fir kar musalmano ko musalman banane ka kaam kiya jaye ,
★. Is raaste mai wo jafakashi ,wo mehnat ,wo koshish ,wo himmat ,quwwat sarf ki jaye jo Duniyadaar log Duniya ko haasil karne mai sarf kar rahe hai'n  ,Husoole maqsad ke liye junoon ki kaifiyat apne andar paida ki jaye jiske bager Deen v Duniya ka na koi kaam hua hai aur na hoga ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Hazrat Palanpuri Reh. Ne Bachpan Se Fikre Aakhirat aur Khofe Khuda sikha _*
↬• Aap farmate hai'n k Walida agarche Padhi hui nahi thi magar mere bare mai unki ye tamanna thi k mai'n Aalim banu ,
★• Aur farmate hai'n k Walida ko Quran to mene padhaya magar Mujhe Quran per Walida ne daala , har din Deen v imaan ki koi na koi baat zahan nasheen karati ,bachpan hi mai Ambiya ke qisse ,Khofe khuda paida karne wali baate sunati aur qayamat ki holnaaki se daraati ,
★• Ek martaba Walida ne farmaya k Qabr mai Do farishte aayenge aur Teen sawalaat karenge , Teen sawalaat bhi bataye aur uske jawab bhi , Fir doosre moqe per Qabr ke azaab se darana shuru kiya ,to Aapne farmaya k mujhe Farishto ke sawalaat aur Jawabaat yaad ho gaye hai'n  ,
★ • To Walida ne farmaya -qabr mai chamde ki zubaan kaam nahi degi Waha'n amal ki zubaan jawab degi , bas tum Amal karo aur Haraam Kya hai ? Halaal kya hai ? Mujhe bhi batao kyunki mai to anpad hu'n aur ab tum padhne lage ho ,
★. Walida farmati k Beta geebat karna chahe to meri kar liya kar taki baat ghar ki ghar mai rahe ,teri nekiya'n mujhko mile , Aap farmate hai'n k Walida ka mansha geebat se darana aur bachana tha , isliye k Aadmi bahut bhola bhaala hai ,Dushman ki geebat kar ke usko anni nekiya'n de deta hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Duniya Qadmo mai Aayegi _*
↬• Ek martaba Mumbai se Rishtedaar Aapki Walida ke paas Pahunch kar zahan saazi kar rahe they k school ki taleem mai iska natija achchha hai fir isko madarse ki taleem padha kar Molvi Mulla bana kar kya karogi ? Aapki Walida ne farmaya k Tum log Duniya Duniya kya karte ho ,Duniya to ek Din iske Qadmo mai aayegi in Sha Allah _,*
★• Mumbai mai kuchh muddat ke baad Ek Chille ki jama'at mai Markaz Nizamuddin pahunche ,Aap Us Safar mai Hazrat Ji Reh. Se Bayt ho gaye , Us Waqt Hazrat Maulana Yusuf Sahab Reh. ne Aspko bhaanp liya aur Aspko mashwara diya k Mumbai mai reh kar taleem poori karo ,Aapne Mumbai mai hi Karobaari Shagal ke saath hi Madarse ki taleem jari rakhi ,
★• Maulana ibtida se hi Apne bado ki baat dhyan mai le kar Amal karte they  aur isi mai unki taraqqi ka raaz tha , Haq Ta’ala ki taraf se har aan asbasb v wasa'il jaari saari hai'n magar har Aadmi jaddo jahad aur tofeeq ke baqadar mustafeed hota hai ,
★ • Aap jab ek Din hafte mai ghar jate Walida ko ghar mai Deen v imaan ki baate sunate ,Us Waqt Walida farmati Tumhari baat Aaj mai Akeli sun rahi hu'n magar ek waqt hoga k tumse lakho insaan Deen v imaan ki baate sunenge , Aapki walida ki dono Pesheen goiya'n Allah ta’ala ne Aapke haq mai poori farmayi ,Duniya bh Aapke qadmo mai aayi aur Lakho insaan Aapki baat ko sunne wale bane ,
★. Hazrat Maulana Palanpuri Reh.is silsile mai  Farmaya karte  they  k Jo bhi Deen v imaan ki mehnat ikhlaas aur istakhlaas se karega Khuda usko Duniya payr padi denge aur Jo Deen v imaan ki Mehnat na karega usko bhi Duniya milegi magar Sar chadi milegi , Aur Aapki poori zindgi iski shahid adl hai,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
…… .. _*Chaar Maah Aaj Tak Poore na Hue _,*
↬• Markaz Dehli se ek Jama'at Jiske Ameer Qari AbdurRasheed Khorjoi they ,Mumbai mai Aapki Tashkeel ki aur Chaar Maah ke liye Aap Taiyaar ho gaye ,
★• Station per Aapke Rishtedar ,jinko maloom hua to Aapko Samjhane pahunche k Gharelu halaat tangdasti bata kar jama'at mai Jane ka iraada chhod dene per majboor kiya ,magar Usi Jama'at ke ek Saathi ( Munshi Anees Sahab idaara isha'at Deeniyaat ) Maulana ko ek taraf le ja kar farmaya k " Nabiyo'n Wala Kaam karoge to khuda tumhe zaaya nahi karega balki khuda tumko bhi chamkayega aur tumhari qaum ko bhi chamkayega _,"
★• WO Mutlaq Awaaz Shahe Haqeeqi ki hoti hai agarche Allah ke Bande ke halaq se ho , Maulana farmate they k mere ye Chaar Maah Aaj tak poore na hue aur Khuda kare poore na ho , Allah Ta'ala ne aapki ye Dua bhi qubool farma li aur Saari Umr is Dawato Tablig ke Raaste mai mashgool rahe yaha'n tak k Allah hi ke Raaste mai Aakri waqt aa pahucha ,
★ • Dehli markaz ki masjid mai Poore Ramzan Aitikaaf kar ke Aap Darul Uloom Devband mai doosri martaba 11 June ,1955 ko dakhil hue , Aap Taleem mai Mashgool ho gaye magar Apne murabbi Hazrat Ji Maulana Yusuf Sahab Reh. ki nasihat peshe nazar rehti k " Tumhe Taleem bhi haasil karna hai aur Tablig bhi karna hai ,Tablig mai is qadar munhamik na ho k Taleem ka nuqsaan ho aur Taleem mai bhi is qadar Mashgool na hona k Tablig ka nuqsaan ho ,
★. Is nasihat ke peshe nazar Aapne Apne waqt ki tarteeb is tarah jamayi k har hafte mai Chaar ghante tableeg ke liye faarig karte aur hafte bhar ke kaam ki tarteeb in Chaar ghanto mai Jama dete ,is tarah Aapke dono mashgale jari rehte they ,
★• Us waqt Darul Uloom Devband kya poore milk mai Tablig ka umoomi mahol na tha ,isliye baaz talba Aapka mazaaq udaate they magar Aap iski parwaah kiye bager talimi tabligi dono kaam anjaam dete rahe , Jab sah maahi imtihaan ke nateeje aaye aur Aap aizazi numbraat ke saath daure Hadees Sharif mai avval number per kamyaab hue to iske baad talba Aspke saath ho gaye aur Aapne iska khoob fayda utjaya aur khoob Tablig ka kaam kiya,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Walida Mohatrama Ki Wafaat _,*
↬• Jab Hazrat Maulana Umar Palanpuri Reh. Ki Walida marzul wafaat mai mubtila hui to Rishtedaro ne kaha k Devband se Muhammad Umar ko bhi bulwa lete hai'n,
★• To farmane lagi - Nahi Nahi use na bulao WO Deen ke kaam mai gaya hua hai mai'n to khaali haath hu'n Wahi mera zariya e Aakhirat banega aur Agar Allah mujhse puchhega k kya laayi ho ? To mai'n kahungi ek Chahete bete ko tere Raaste mai chhod aayi hu'n jise Maine juda na kiya magar tere liye ,
★• Jab inteqal ka waqt qareeb hua to Walida ne farmaya - mujhe khushbu aa rahi hai halanki Naak kaan muddat se ma'uf ho chuke they, iske baad Walida ne Salam kiya aur muskurayi fir behosh rahi ,Hosh aane per ghar walo ne maloom kiya to farmaya k Maine Apne Bete Muhammad Umar ko farishto ke darmiyan dekha to usne salaam kiya aur Bete ko dekh kar muskurayi ,
★ • Iske baad WO Aabida Zahida Khatoon Duniya ki tangi tarshi bardasht farma kar Apne pyare Bete ko fikre Aakhirat mai Sanwaar kar Allah ke hawale kar ke Allah ko pyari ho gayi ,
★.Usi Din Hazrat Maulana Umar Palanpuri Reh. ne Apni Walida ki khwab mai ziyarat ki Aapne maloom kiya k Amma Aap kaha'n ho ? To Arbi mai Jawab diya " Ana fil Jannah " mai'n jannat mai hu'n , aur farmane lagi tumne mujhe Hajj nahi karaya , iske baad Aapne Apni Walida ki taraf se Hajj karwaya aur isaale Sawab kiya ,
★• Aap farmate they k meri Walida har waqt mujhe Apne saath rakhti thi aur Raat mai bhi juda na karti aur Deen v Imaan ki baato ko khoob sunati aur Lambi Namaz padhati aur Lambi Dua karti aur Khuda ka Maalik v Khaaliq hona samjhati ,*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Ye Raasta Dekh kar Chalne Ka nahi ,Balki chal kar dekhne ka hai,*
↬• Hazrat Ji Reh. Ko ummat ka Jo Dardo Gam naseeb hua tha WO Dardo Gam Hazrat Maulana Palanpuri Reh.mai bhi muntaqil ho chuka tha ,Allah Ke Raaste ka Jazba har taqaze se baala Tar tha ,
★• _Jab Aap Dehli Markaz Pahunche to Hazrat Ji Reh ne Aapko Aligarh aur Khorja ki Dawat v Tablig ki garz se ek Chille ke liye rawana kiya ,Aspne waha'n Jam kar kaam kiya ,Fir Markaz mai Aapne Hazrat Ji Reh ke saath Aakhri Asre ka aitikaaf farmaya ,iske baad Aligrah ke ijtima ki mehnat ke liye dobara usi jaanib Rawana ho gaye ,
*___ Ye Wohi Khorja hai Jisme Faragate Taleem ke baad Aapka Pehla safar hua aur Aapki zindgi ka Aakhri Safar bhi isi Khorja ka hua tha _,*
★• _ Aap Umoomi ijtimaat mai farmate :- Ye Rassta ( Dawat v Tablig ) dekh kar chalne ka nahi balki chal kar dekhne ka hai _,"
★ • _ Aligarh ijtima se faragat ke baad Rail se Markaz Dehli ke liye Rawana hue they , Hazrat Ji Reh. Aur Hazrat Ji Maulana ina'amul Hasan Reh.ne mashwara kar ke Aapki tashkeel karte hue farmaya k Tum Jama'at le kar Hijaaj jaa sakte ho ,Waha'n Pahunch kar Hajj bhi kar Lena aur Aa'inda Saal doosre Hajj tak ( Wahi Reh kar ) kaam karna hai aur Doosra Hajj kar ke hi lautna hai ,Kya Tum itni Lambi muddat Hijaaj mai thehar sakte ho ? Hazrat Maulana Apni tabiyat ke khilaf taitaar ho gaya aur bado ki baat mai Zara bhi chu chara nahi kiya ,
★. _ Aap farmate hai'n k Jab mai'n Pehli martaba ( 1957 me) Hajj ke liye gaya to Baitullaah mai Khuda ke saamne Dua ki thi k ,
Ey Allah ! Duniya ke GAM se mere Dil ko faarig kar de aur Dawat e Deen ki Fikr se labrez kar de ," aur Ye Ash'aar Padhe _
"_( Tarjuma )  is Duniya mai bager GAM ka koi nahi hai, agar hai to WO insaan nahi hai _,"
★• _ Allah Ta'ala ne Aapki ye Dua qubool farma li , Aapke Bade Bhai Janab Abdul Kareem Sahab Poori Umr Aapke ghar ki tamaam zaruriyaat ki dekhbhaal karte rahe aur Unke Chhote Bhai Janab Yusuf Sahab mushtarak Karobaar ko sambhalte rahe ,Ibtida mai dono Bhaiyo'n ne Aapko Dawat e Deen ke kaam ke liye faarig kar diya tha ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Deen Aur Deen Ke Kaam se Muhabbat v Ishq _,*
↬• Jab Aap Hazrat Maulana Palanpuri Reh. Hijaaj Jane ki niyat se Mumbai pahunche aur Apne Bhaiyo'n Ke Mustaraka Karobaar ka hisaab dekha to Sab Bhaiyo'n per Hajj Farz ho chuka tha ,
★• _ Ye Ek khuli Barkat thi Aap Apni Jama'at ke Saath Bade Bhai ko Hajj ke liye le gaye , Bhai Hajj kar ke waapas hue aur Maulana Tabligi kaam mai mashgool rahe yaha'n tak k doosre saal Aapke Chhote Bhai Hajj mai Pahunche ,Waapsi mai Jama'at ke saath Chhote Bhai they, is Tarah Teeno Bhaiyo'n ka Hajj ho gaya ,
★• _ Hazrat Maulana Ke Mumbai pahunche ke baad Mumbai se 18 Aadmiyo'n ko taiyaar kar ke Heydarabad hote hue Dehli Markaz mai Pahunche ka Program ban gaya ,lekin Hazrat Maulana ke paas Paisa nahi tha to bator qarz 110 Rupiya le kar Jama'at ke saath Dehli Markaz Pahunche ,
★ • _ Hazrat Ji Reh. ne Aapko ghar Jane ki ijazat marhamat farmayi ,is per Aapne guzarish Ki k mere saath Jama'at kar dijiye , Deen ka Kaam Karta hua jaunga ,
★. _ Ab Khuda aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke laye hue tareeqe ke saath Muhabbat v ishq ka talluq ho chuka tha ,Jise Poori Zindgi Duniya ki koi haalat ya koi haadsa khatm na kar saka ,
★• _ Bahar Haal Hazrat Ji Reh. ne farmaya k Ab Seedhe ghar jao aur Wahi reh kar ye kaam karo , Aap tamaam ausaaf zaahiri aur baatini se maala maal ho kar khud chamak rahe they, Ab Qaum ko chamkane ki fikr ke saath 1957 ke Aakheer mai Aap Apne Watan Ghataman tashreef laye _,*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Aapki Zaat Baa'ise Sarmaya Aur Baa'ise Khairo Barkaat _,*
↬•  Musalsal aur Taweel muddat ke Safar mai Aapko Hazaaro mashaqqate ,Rukawato aur hadsaat ka saamna ho chuka tha,  ye Halaat Aapke Paye istaqlaal mai Jumbish na de sake ,
★• _ Aap Kaamil Yaqeen ,Tawakkul ,Sabro Raza jesi Sifaate Aaliya se Araasta ho chuke they, Lihaza Thakaan ya Ghar ke mashagil mai mashgool ho Jane ka koi Sawal hi na raha tha ,Aapki Hasaas tabiyat poori ummat mai badti hui La-ilmi aur Be-Deeni ko khoob mehsoos kar rahi thi , isliye Aapne Dawat Ilallaah aur Deeno Imaan ki mehnat ko apni zindgi ka pehla maqsad samjha aur isi maqsad ko apni zindgi ka wazifa aur audna bichhona bana liya ,
★• _ Aapki nazar mai Duniya hakeer ho chuki thi ,ab Duniya ki koi Taaqat ya rukawat is kaam ke liye maane nahi ban sakti thi ,Aap isi azme kaamil ke saath Apne Murabbi Hazrat Ji Reh. Ki ijazat se watan tashreef laye ,Ab Aapke saamne Chilla ,Chaar Maah ka Sawal nahi tha ,Zindgi ka ek ek Pal aur Ek Ek ghadi is Raahe Azeez mai waqf karna chahte they, Aur Aapka Ummat ke liye Dardo GAM Aapko Kisi haal mai bhi chain sukoon se bethne na deta tha ,
★ • _ Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ki qeemti qurbaniyo'n se seenche hue baag se Aap Apni qaum ko mustfeed karna chahte they, isliye Aapne apni mehnat ka Maidaan Apni Qaum ( Momin ) ko banaya aur Dawate imaan ko pesh kiya aur Natijatan Alhamdulillah Poori qaum ke liye Baa'ise Khairo barkaat saabit hue _,"
★. _ Ghataman Aap tashreef laye to Gaanv walo ne yaha'n ke mahol ke aitbaar se baat cheet ki k Aapko Hijaaj mai Tableeg ki fikr hai aur Gaanv mai Madarsa Veeraan ho raha hai, Gaanv walo ke liye Tabligi kaam nayi cheez thi , Chille se log nawaqif they,  Gaanv walo ne Maulana ko madarse mai padhane ke liye majboor kiya ,Aap ek Shart ke saath taiyaar hue k Hafte mai Chaar Din Padhaunga aur Teen Din Tabligi kaam karunga iska mu'awza Kuchh na lunga ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Kaam Ke Zarra e Usool Aapki Rag Rag mai Samaye they _,*
↬•  _Aap Chaar din padhate aur Teen Din Tablig kaam mai mashgool rehte , is tarah Teen Din aur Das Din ki jama'ate Ghataman se bana bana kar ilaaqe mai bhejte rahe , Aapne ye kaam is fikr v lagan , jaddo jahad se  jaari farmaya k Gaanv Ghataman Mardo aur Jawano se khaali sa ho gaya ,
★• _ Ye Dekh kar Aapki Fufi Aurto'n se kehti k Dekho log to Bhainso'n ke Dabbe ( Gaadi ) bhar bhar kar bhejte hai'n aur mera Bhatija Aadmiyo'n ke Dabbe bhar kar bahar bhejta hai ,
★ •_ Ye halaat dekh kar Mardo'n mai charche shuru  ho gaye k hum ko to Chain se ghar rehne ko nahi milta ,bil Aakhir Maulana se Gaanv walo ne arz kiya k Aapko Tablig ke kaam Ki vajah se fursat na ho to Madarse ki khidmat moqoof kar dijiye , Maulana To pehle hi se taiyaar na they Ab Gaanv walo ki farmaish Maulana ko ganimat maloom hui aur Tablig ke liye poora waqt waqf kar diya , 
★. _ Aapki Zaat mai Ummat ka Dardo GAM tha ,Aap Kab Masjid ki imaamat aur Maktab ki Mudarrisi per per qana'at karte ,Aapko Sirf Gaanv aur Qaum hi nahi balki Aalame islaam ko Deen v imaan ka bhoola sabaq yaad dilana tha aur Kalme Namaz ki haqeeqat ko Dilo mai utaarna tha , Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka laya hua Deen aur Dard ummat mai aam karna tha , isliye Aap poori qaum ki taraf mutavajjah hue , Allah Ta'ala darja ba darja Aapse Kaam le raha tha ,
★• _Daayi ilallaah ko jin Awsaaf ki zarurat hai Kaamil Yaqeen, Saadgi ,Tawakkul ,Sabr v Tahammul afu vagera ,Allah Ta'ala ne Apne fazlo karam se Aapko inayat farmaye they aur Maulana ilyaas Sahab Reh. Ke qaa'im karda is kaam ke zarra e  usool Aapke rag rag mai samaye hue they,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Atraafe Palanpur mai Tablig ka Kaam _,*
↬• Aap Do Chaar Saathi bana kar ek Gaanv mai Program banate , Masjid mai Jab Aapka bayan hota to umooman Qur'an e Kareem ke waqiaat wali aayato ko Apne makhsoos sheeri lehje mai padhte , Majma khoob mutaassir hota ,
★• _ Aap khoob khol kar baat samjhate ,Aap umooman Gujarati mai bayan karte aur Tabligi kaam ki noiyat aur Haqeeqat ko khoob samjhate ,is tarah zahansaazi aur Kaam se unsiyat paida karne ke liye Aapne taqriban har Dehaat ka daura kiya , Aapki ye naqal harkat bahut se mujaahido aur mashakkato se bhari hui thi , Taqriban paidal safar hota , Baarish ,Garmi ,Sardi Koi uzr is kaam ke liye maane na tha , 
★• _ Fir qareeb ke do Chaar Gaanvo ko Jama karte aur bayan aur tashkeel Amal mai aati ,Aur us waqt ki noiyat alag thi , log kaam ko samjhe hue na they ,Nikalne ka Sawal hi na tha , isliye jabran Khuda kiya jata aur sabke saamne naam likha jata , maare sharm ke nikalne ke liye taiyaar ho jata , Jese jese log nikalte rahe Kaam samajh mai aane laga aur nikalne wala nikaalne wale ko Duae'n deta ,Kyunki Apni jahalat aur Pasmandgi ka khoob ahsaas hota ,
★ • _ Log har qism ke Sawalaat aur aitraaz karte magar Hazrat Maulana bager kisi mubahse ke nihayat aajizi aur wus'at zarfi ke saath is kaam ki tashkeel jaari rakhte aur farmate is kaam ke liye niklo tumhare saare Sawalaat hal ho jayenge ,aur saare fitno ka bhi hal hai ,
★. _ Aur Aap aitraaz karne walo ko bahut ahsan tareeqe se misaal de kar samjhate , Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh. ne Mewaat ke ilaaqe mai  jin halaat mai tabligi kaam ki ibtida farmayi thi Kamo besh Kuchh farq ke saath isi tarz per Aapne  Palanpur ke ilaaqe mai tabligi kaam ki ibtida farmayi , Aapko har waqt fikr rehti k qaum ka ek ek fard is Mubarak kaam ko apna le ,Ye Qarne Awwal ka Heera hai , Jisme Dono Duniya v Aakhirat ki kaamyabiyo ka waada hai ,
★• _ Aapne poore Gujarat ke daure shuru farmaye ,Poora Din umoomi khusoosi gashto aur halqo aur Taleem mai aur Raat ke Aakhri hisse mai khuda e Be niyaaz ke saamne Aaho Zaari aur ummat ki hidayat ke liye Duae'n, Ye Aapka Rozana ka mashgala tha ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Ibtida mai Ijtimaat Ki Noiyat _,*
↬• Ibtida hi se ilaaqe ke chand hazraat ne is kaam ko apna liya tha aur WO Hazrat Maulana ke saath Kaam mai Pesh pesh they, unme Aksar hazraat jama'at le kar poore ilaaqe mai fail jate aur Jis Dehaat mai ijtima tay hota uski Dawat dete aur Us Waqt ijtima mai haazri ki tashkeel aham hoti ,
★•_ Kyunki dehaatiyo mai chilla ,teen din ka rivaaj na tha, ye tashkeel ijtima mai hoti aur badi mehnat ke baad ek ya do jama'at nikalti aur Jama'at Dehli Markaz bheji jati aur Dehli se mulk ke door daraaz ilaaqo mai , Rafta rafta poore Gujarat ka ijtima hone laga ,Jisme Baroda ,Surat ,Bharuch ke log bhi pahunchte ,Gujarat ke kaam mai Hazrat Maulana Iysa Muhammad Reh. Hazrat Maulana ke saath dast raast they aur poore mujahide ke saath lambe lambe safar karte aur Thode thode waqfe se chhote chhote ijtimaat Amal mai aate jisse ek umoomi fiza aur mahol qaa'im hone laga ,
★• _ Door Daraaz Shehro mai naqal harkat ki vajah se Apni Jahalat aur Pasmandgi ka ahsaas paida hone  ,aur Din ba din logo ka ruju is kaam ki taraf hone laga ,
★ • _ Hazrat ji Reh. ne Hazrat Maulana ki Bairoon ki tashkeel farma di ,Aap 1959 mai Jama'at le kar Misr ke liye Rawana hue ,Misr mai khoob jam kar kaam kiya aur kaam karte hue Markaz Dehli pahunche ,Hazrat Ji Reh. ne Aapko is zimmedari ke saath rawana farmaya k Gujarat ke kaam ke bare mai Aapse Baaz puts hogi ,
★. _ Hazrat Maulana Reh. Ka Apne kaam per Yaqeen behad badh chuka tha aur Joshe Had se labrez tha magar Ahle ilm is kaam ki taraf tavajjoh nahi kar sake they Jiski vajah se Aapko becheni raha karti thi , Baaz Martaba Awaam hazrat maulana se Sawal karte k ye Mudarris Hazraat is Mubarak kaam mai kyu nahi judte , Aap Shaafi jawab farmate k
"_Awaam jahalat mai hone ki vajah se ye Noor wala Mubarak ka jaldi apna lete hai'n aur unki samajh mai bhi aa jata hai aur Mudarriseen Hazraat ko ilm e Deen ka Noor haasil hai ,isliye doosre Noor ki taraf aane mai Kuchh waqt lagega ,"*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Ilaaqe Ka Pehla Bada Ijtima Chhaapi mai _,*
↬• Hazrat Maulana Reh. ne kis lagan se kaam kiya hoga Kitni mehnate jheli hogi ,Kin kin mayoosiyo se guzarna pada hoga ,Isko Khuda Jane ya WO Jane ,Hum to sirf is qadar jaante hai'n k ek Din WO tha jab Teen Din ki jama'at nikalna dushwaar tha aur Doosra waqt ye tha 1962 mai Kaseer tadaad mai Allah ki raah mai Ijtima se jama'ate nikli ,
★• Ijtima mai Hazrat Ji Maulana Yusuf Sahab Reh. Pehli martaba Gujarat ke qasbe Chhaapi mai tashreef laye , Hazrat Ji Reh ke saamne atraafe Palanpur mai basne wali Momin Qaum se tarruf hua ,Aap bahut khush hue aur farmaya -
"__ is qaum mai Chaar Khususiyate esi payi jati hai k Poore Aalam mai majmui tor per kisi ek qaum mai ek saath nahi payi jati hai ,
_1- Avval -ye k Khaane Pine mai aur rehne Sehne mai Saadgi Payi jati hai ,
_2- Doosri -Ye k is qaum mai Khurafaat v Bid'aat nahi hai ,
_3- Yeesri ye k Apne Bachcho ko ilme Deen padhane ki ragbat aur Shoq v zoq paya jata hai ,Jiske liye har Dehaat mai maktab ka bandobast hai ,
_4- Choti - ye k Poori qaum khush haal hai,
★• _ Us Haqq Ke Daayi ( Hazrat Ji Reh. ) ne is qaum ( Momin ) ki Jo Khususiyate bayan farmayi hai'n khuda e Paak naslo tak isko qaa'im rakhe aur Duniya mai badhti hui aisho ishrat aur Fashion parasti se hamari Hifazat farmaye , ( Aameen )
★ • _ Chhaapi se Tashkeel shuda Bairoon ke liye 15 Jama'ate taqriban 19 January, 1963 ko Mumbai se Paani ke Jahaaz se iraaq ke liye Rawana hui ,
★. _ Aapki Jama'at jab Marakis Pahunchi ,Marakis mai Jab Aapne Dawat ke kaam ka tarruf karwaya to Ek Marakisi Shakhs ne Aapka Daaman pakad liya aur dhaadhe maar maar kar rote hue kehne laga -
*"_Ey India ke musalmano qayamat ke din Khuda ko Kya jawab doge Tumhara Daaman hoga aur hamara haath hoga , Hum khuda se Shikayat karenge k 40 saal se Deen ka kaam unke paas pahuncha hai ,Lekin hamare paas le kar nahi aaye , Hamare Baap Daada Jo be Deeni ki haalat mai mar gaye unka kya haal hoga ,"*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Aapki Aalami Shohrat _,*
↬• March 1965 mai Hazrat Ji Reh. Ka safar magribi aur Mashriqi Pakistan ka Dawat ilallaah ke liye shuru hua , Jo Kai bade bade Shehro ka daura tha ,Is Safar mai Hazrat Ji Reh. ne Hazrar Maulana Umar Palanpuri Reh. Ko Apne saath rakha ,
★• _ Isi Safar mai Raiwand mai April 1965 mai Hazrat Ji Reh. is Duniya e Faani ko Khair Abaad kehte hue Apne Rab se Ja mile , Hazrat Ji Reh ke visaal ke baad Mashware se Aapka mustaqil tor per Markaz Dehli mai rehna tay kiya gaya ,Ab Aapke saamne Kaam ki aur Fikro ki noiyat badal gayi thi ,Ab poore Aalam ke kaam ki zimmedari aur har waqt iske liye koshish v fikr Daaman Geer rehti ,
★• _ Aapka Ye zamana bhi nihayat majahide wala tha chunki Aapke Bachche Madaris mai zere Taleem they aur un Bachcho ki Walida Sahiba Watan mai aur Hazrat Maulana Markaz mai Raat Din Dawat ilallaah ki fikr aur jaddo jahad mai mashgool rehte ,Taqriban Chaar Sawal ka arsa isi tarah guzra , Baad mai Aap ghar walo ke saath rehne lage , Dawate Deen ke kaam ki mashgooli ke bavjood Gujarat ke kaam ki taraf khususi tavajjoh zaroor raha karti ,Tamaam Kaarkun hazraat ki Khair khabar aur zaroori mashware se nawazte Rehte,
★ • _Hindustan Aur Bairooni mulko mai hone wale bade ijtimaat mai Taqriban Aapka Bayan Khaas tor per tay hota ,Laakho insaan jam kar Deen v Imaan ki baate sunte aur Aapki Deen v Imaan ki baate Kaamil ikhlaas aur dard ke saath walwala angez hoti , Hazaaro insaano ki zindgiya ban jati aur Hazaro fisq v fijoor wale Raaste se tauba karte , Aur Hazaro insaan Apne jaan v maal ko Allah ke Raaste mai laga ne ka azm karte aur badi tadaad mai naqad nikalte ,
★. _ Aapke Safar aur anthak jaddo jahad aur uske natije mai Deen ki nisbat per insaano ki naqal harkat kisi insaan ke bas mai nahi hai Jab tak k Khuda ki madad Shamile Haal na ho ,Ye Aapki Sabse Badi Karamat thi Jo Allah Ta'ala ne Aapke haatho saadir farmayi aur Khuda ka waada hai k Jo bhi Ahya e Deen v  imaan ki mehnat karega Khuda uski madad karega ,
★• _Aap Bayanaat mai  Aksaro beshtar ye Shair tarannum ke saath v ilhana andaz mai padhte :-
*_Darde Dil Ke Waaste Paida kiya insaan ko ,*
*_Varna Taa'at ke liye Kuchh Kam na they Karubiyan,*
"_ Bhooko Ko khana khila dena aur Nango ko kapda pehna dena aur Kisi Haajat mand ki haajat ko poora kar dena ye bhi Darde Dil mai dakhil hai ,Magar Sabse badh kar Darde Dil ka Amal Jo ho sakta hai WO ye hai k insaano ko Jahannam ke Raaste se hata kar Jannat ke Raaste laya jaye ,aur unki abdul abaad zindgi ki fikro kudan paida ki jaye yahi Dard aur Fikro Kudan Ambiya Alaihissalam Duniya mai le kar mabous hue they, Aur Yahi Shewah Ambiya ke naayabeen ka raha hai ye Darde ummat Poore Aalame islam mai kai mazooriyo ke saath chalat firat kar ke poori ummat mai Deen v imaan ke paida karne ki jaddo jahad farmayi aur Poori Hayaat is jaddo jahad mai koi kami kasar na farmayi ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Ijtimaat mai Aapke Bayanaat Ki Noiyat _,*
↬•  , Aap Bayan Ki ibtida mai Khutba Masnoona padhte , Umooman Aapke Bayanaat mai Qur'an e Kareem ke waqi'aat Jisme khuda ki Maan kar zindgi guzaarne walo ki kaamyabi aur na maanne walo ki tabahi ka Zikr hota ,
★• _ Jannat aur Jahannam ka Zikr bhi tafseel se is tarah farmate jese jannat poori aara'ish v zaiba'ish ke saath Aapke saamne mojood ho , Aayate Qur'aniya makhsoos khoobsurat ilhaan ke saath tilawat farmate k poore majma per ek  Kaif ka samaa bandh jata aur ESA maloom hota jesa k Qur'an Dil mai utarta ja raha hai ,
★• _ iske baad Toheed ki Baato ko misaalo se samjhate aur Khuda ki qudrat ko bayan farmate algaraz Tamaam khoobiyo ka jaam'a bayan hota jisse awam v khwaas yaksa tor per mustfeed hote ,Haqa'iq v ma'aruf ki badi baate sidhi Saadi misaalo se aam satah per laa kar bayan farmate Jisko sun kar har Aadmi Apne andar roohani kaifiyat mehsoos karta ,aur is Qadar mutassir hota k WO kam se kam Dawat ke kaam se manoos ho jata ,
★ • _ Aap Deen ka Shoq v zoq paida farma kar ragbat paida farma dete aur Apni jaan v maal ko Deen ke kaam ke liye be qeemat batla kar Allah ki raah mai khapane ko maqsade zindgi saabit karte they, is tarah poore majme ki zahan saazi farma kar Akheer bayan mai shoq v zoq ke saath Josh bhi mila dete jisse Allah ki raah mai nikalna asaan ho jata ,aur tashkeel mai aap esa andaz farmate k Aadmi apni jagah mutafakkir ho jata ,Naam likhwane walo ki Himmat afzaai karte aur khusoosi Duao'n se nawaazte ,
★. _ Aapki poori zindgi ki naqal harkat se saaf mehsoos hota jesa k Aap isi kaam ke liye paida hue hai'n aur Haqeeqat bhi yahi thi ,Hosh sambhalte hi Aapne Dawat ke kaam ko apna liya tha aur poori zindgi yahi ek mashgala raha ,
★• _ Farmate - Quroone Awla mai yahi Dawat ka kaam muhatam bishaan aur asal usool ke darje mai tha , Yahi vajah thi k Sahaba ne Dawat ke kaam ko apna liya aur poori Duniya per chhaa gaye , Agar Aaj bhi ummat e Muslima is kaam ko usooli tor per Apna le to khudayi Waada Jo Sahaba ke zamane mai poora hua, Aaj bhi Wahi waada hai ,Khuda Apne fazlo karam se Deeni aur Duniyavi sarsabzi aur shadaabi paida farma denge ,"
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Atraafe Palanpur Maiwaate Saani_*
↬• Tabligi kaam ko Sabse Pehle Maiwaati hazraat ne apnaya aur doosre number per Atraafe Palanpur mai basne wali momin qaum ne apni khush haali ki bina per mulk ke door daraaz ilaaqo mai is kaam ko pahunchaya ,
"__Qazi Abdul Wahab Sahab Reh.Ameere Jama'at Gujarat farmaya karte they k ilaaqa Palanpur maiwaate saani Hai ,Maiwatiyo ke baad baari ta'ala ne khush haal ilaaqe Palanpur ko khada kiya taki is kaam ko door daraaz pahunchaya ja sake,
★• _Hazrat Maulana Palanpuri Reh. Farmaya karte k Dawat Deen ke kaam ko maqsade Zindagi bana kar mulko mai chal fir kar Allah ka tarruf karao aur Allah ki qudrat samjhao aur Apni Zindagi ko Maindak ki manind na guzaro k Maindak jis jagah paida hua wahi fudakta raha aur wahi Mar Gaya ,Tum bhi Ghar v Dukaan Ghar v Dukaan kab Tak karoge Sahaba Kiraam khuda ke Deen ki Dawat ko le kar poore aalam mai fail gaye ,Makka aur Madina mai bahut kam Sahaba ki qabre hai'n , isi tarah Hume bhi Dawat ke kaam ko le kar mulko mai aur Duniya ke goshe goshe mai firna Hai aur laakho insaano ko jahannam ke raaste se hata kar Jannat wale raaste per Lana Hai ,yaha Tak k Allah ke raaste mai hi maut aa Jaye aur hamari qabre bhi wahi ban Jaye ,
★• _ Khush Naseeb hai'n wo hazraat jinhone Dawate Deen ko maqsade Zindagi banaya aur usi mai masroof rehte hue Allah hi ke raaste mai unka waqt aakhir aa pahuncha aur mulko mai apni qabro ko banwaa liya , Jisme hamare liye darse ibrat Hai in hazraat ke alawa Aalame islam mai  hazaaro Khuda ke Bando ne Deen ki Dawat mai masroof rehte hue apni jaan jaan aafree ke hawale kar di, Khuda e paak sab per rahmat farmaye ,Aameen.
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. *Dawat Ka Shakhsiyat Saazi Ka nahi Shakhsiyat Sozi Ka Hai_*
↬• Aap Maulana Reh. Hazrat ji reh.ke hawale se farmate hai'n k Ek Sahab Markaz mai tashreef laye aur Mashwara dene lage k Hazrat ji Aapko Dawat ke kaam ke liye Chand Shakhsiyato ko taiyaar karna chahiye Jisse ye kaam khoob phale, 
★•_ Hazrat ji Reh.ne farmaya k mere Bhai hamara ye Dawat ka kaam Shakhsiyat Saazi Ka nahi Hai balki Shakhsiyat Sozi ka Hai , Jab Tak Dawat ke kaam mai Shakhsiyat Sozi na hogi is kaam mai Rooh paida na hogi ,Hume Shakhsiyate nahi banani hai'n Hume Deen ka Kaam banana Hai ,
★• _ Hazrat ji Reh.ke hawale se doosri baat Bayan farmate hai'n k Ek bade Sahab ne bada ishkaal hazrat ji ke saamne rakha k tumhara ye tablig ka kaam Jo Chand sidhe saade Maiwaati karte hai'n isse is ummat mai Kya inqelaab paida hoga ,Jabki Mulk mai badi badi Sakhshiyato ne badi badi Sceeme banayi wo sab na-kaam ho gayi ,to Aapko is kaam se kya kaamyabi milegi ?
"___ Hazrat Ji Reh. Ne jawab mai farmaya k Aapki baat bilkul sahi Hai k Mulk mai Azeem Shakhsiyato ne Azeem Sceeme chalayi aur wo na-kaam hui , Vajah ye thi k badi badi Sceeme aur badi badi Sakhshiyat ke muqable mai rukawat bhi badi khadi ho jati thi ,Jiski bina per Wo Sceeme na-kaam ho jati thi ,
"_Raha hamara tablig ka kaam ye sidhe saade tareeqe per ho raha hai koi khatir mai nahi lata Hai isliye rukawat ke qabil hi nahi samajhte aur hamare is kaam ki misaal Deemak ke manind Hai Jis tarah Deemak aur uska Kaam dikhayi nahi deta Hai magar jab Ghar ke chaaro sutoon Deemak khokhla kar deti Hai to poori chhat gir jati Hai , isi tarah hamari Tabligi Jama'ate kufr ki chhat ke liye Deemak ka kaam kar rahi Hai ,Ye kaam karte karte Kufr ke Sutoon kamzor ho jayenge aur Jab waqt aayega to Kufr ki chhat giregi ,*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. *Kaam Ke Usool Hayatus Sahaba se Milenge_*
↬• Kaavi ke khusoosi Bayan mai Hazrat Maulana Palanpuri Reh.ne farmaya k Hazrat Ji Maulana Yusuf Sahab Reh. Se darkhwast ki k Dawat me usoolo ki Ek Kitaab Aap madun farma dijiye taki purane kaam karne walo mai usoolo ke bare mai ikhtilaf na rahe , Chunki Ek Purana ek baat ko Usool kehta Hai aur doosra doosri baat ko Usool kehta Hai ,is Vajah see unme ikhtilaf ho jata hai ,
★• _ Hazrat ji Reh.ne jawab mai do baate farmayi , Ek baat ye k Dawat ke kaam ke Usool ese nahi hai'n k jisme koi jazia mustashna na hota ho aur ye jazia moqa Mahal ke aitbaar se aapas ke mashware se tay karna hota Hai , isliye esa koi Usool Tay nahi kiya ja sakta Hai ,Har Zila ,har Mulk mai halaat aur moqa Mahal ke aitbaar se Usool mai lachak rakhni padti Hai ,
"__ Missal ke tor per Jama'at ka ye Usool bhi nahi banaya ja sakta k Dawat Ta'am Kisi jagah qubool nahi karni Hai aur na ye banaya ja sakta K har jagah Dawat Ta'am qubool karni Hai balki moqa Mahal ke aitbaar se lachak paida karni padegi , 
★• _ Doosri baat ye farmayi k Usool Qur'an aur Hadees aur Seerate Sahaba ki roshni mai likhe jayenge agar mai'n hi Usool likh du tab bhi poori ummat e muslima ka is per muttafiq hona zaroori nahi Hai Chunki Jo Kuchh mai'n likhunga wo Mera ijtihaad aur istanbaat kehlayega Jo doosre ke ijtihaad ke khilaf ho sakta Hai isliye is Masle ko Hal karne ke liye Hayatus Sahaba Teen Jildo mai likh di Hai ,
★ • _ Agar iska gor se mut'ala kiya Jaye to waqt ke manasib konse Usool per Amal kiya Jaye wo Sahaba Kiraam ki Zindagi se mil sakta Hai aur usi se Masle ka Hal ho jayega ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. *Khairul Quroon - Behtreen Zamana_*
↬• Maulana Palanpuri Reh.Hazrat Ji Reh. Ke hawale se bayan karte k Hadees mai farmaya Hai k Behatreen Zamana Mera Zamana Hai fir iske baad Wala Zamana fir uske baad Wala Zamana,
★• _ Hazrat Maulana reh.iski fafseer yu farmate k isse muraad zamane mai hone wale A'amaal hai'n - Jesa k kaha jata hai k nehar jaari Hai yaha nehar se muraad paani Hai ,aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke zamane mai Dawat aur ilm aur zikr ye teeno Amal ba darja zinda they , Ye teeno Amal jis zamane mai aur jis ghadi mai islan zinda honge to wo Zamana Behatreen qaraar payega aur Taba'in ke zamane mai ilm aur zikr ye do kaam islan they aur Dawat ka kaam tab'an Tha  , Jis zamane mai ye do kaam ilm v zikr islan zinda honge wo uske baad Behatreen Zamana shumaar hoga aur tab a taba'in ke zamane mai islan zikr ka Amal tha aur Dawat aur ilm tab'an tha ,Jis zamane mai sirf zikr ka Amal islan zinda hoga wo teesre number per Behatreen Zamana shumaar hoga ,
★• _ isliye agar aaj bhi Behatreen Zamana haasil karna Hai to teeno kaam ummate muslima mai islan zinda hone chahiye aur Jab teeno kaam ba darja zinda honge to Khuda usko Behatreen Zamana bana dega ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Aapka Ahle Watan aur Qaum se Aakhri Aam Khitaab_*
↬• Ye Taqriban 17 May ,1997 ki tareekh thi ,Aapki wafaat se chaar din Pehle Aap Apne gaanv Ghataman mai Qaum se Aakhri Khitaab farma rahe they ,Kise Khabar thi k Deen v imaan ki roshni failane Wala Aftaab anqareeb guroob hone Wala Hai ,
★• _ Aapne  Bayan mai ibtidayi berooni safar ki Kaarguzari per roshni daali aur islam aur Musalmano per Jo halaat aaye uski misaal mai daure siddiq ke halaat dohraye they aur us waqt Sahaba ne kis tarah Amal kiya Hume bhi in halaat mai wo A'amaal akhtyar karne hai'n ,
★• _ Bayan ke baad hasbe mamool poore Josh v zoq ke saath majme ki  tashkeel farmayi aur Allah ki raah mai nikalne walo aur iraada karne walo ke liye khususan duae'n farmayi ,aur Aakhir mai poore majme ko buland awaaz mai Salaam kiya ,
★ •_ Dua mai ye alfaz bhi farmaye k Ya Allah ! Ab mai'n zaief aur kamzor ho chuka hu'n ,Ye majma badi mushkil se vajood mai aaya Hai ,Ya Allah is majme ki hifazat farma ,
★. _ Chaar din baad bazariye car Ghataman se Ahamdabaad aaye fir Dehli ke liye rawangi hui aur nizamuddin pahunche , Subeh ko yaume Ashura per mamool ke mutabiq Bayan hua ,10-11 Muharram guzaarne ke baad 12 Muharram 1418 hijri ko madaris ke ijtima ke liye safar darpesh Tha Pehle Gangwarah Zila itaa mai ijtima Tha usme shirkat ke liye bazariye car Jana Tay Tha ,12 May 1997 ko Subeh awwal waqt mai namaz padhi aur khaadim se farmaya k mujhe gaadi mai bitha diya Jaye taki meri Vajah se doosro ko intezar ki takleef na ho ,
★• _ Aapki gaadi khorja pahunchi yaha pahunch kar Dua karana Tay Tha, Maualana ne istinja kiya ,Aapki himmat toot chuki thi ,Kuchh khane ke baad bhi himmat na hui thi farmaya k mujhe Dava khila kar Gaadi mai bitha do ,Aapko kaha Gaya k Aap ghanta bhar araam farma le aur baad mai aa Jaye ,is per Aapne farmaya k mai'n akela rehna nahi chahta qafile se alag kaha rahunga mujhe to saath le Chalo ,
"__ Khorja se waapsi mai sidha Aapko Hospital le Jaya Gaya  ,doosre din ifaqa hone ki Vajah se Subeh 11 baje Nizamuddin laya Gaya ,aur Aapke Hujre mai Lita diya gaya, Sab log Aapki Sahatyabi per masroor they ,Aap araam farma rahe they Taqriban 12 baje Deen v imaan ka Noor failane Wala Aftaab hamesha ke liye guroob ho gaya, Allahumma Ajirna fi musibata va akhlif lana khairan minha,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *_Deen v imaan ka Noor v Roshni Failane Wala Aftaab Hamesha Ke Liye Guroob ho Gaya_*
↬• 21 May ,1997 Ka Din Ummate Muslima ke liye Azeem haadse Tha ,Bijli ki tarah Poore Aalam Mai khabar fail gayi ,Is Haadse ne beshumar insaano ke dilo ko tadpa diya ,
"__Ye Ummate Muslima ka Azeem gam khwar aur Uske liye Raato ko uth kar Khuda e beniyaaz ke saamne ghanto rone Wala , Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke laye hue Deen ka sachcha dard rakhne Wala aur Ummat ki beDeeni per kudhne  Wala aur Deen v imaan ka Noor v Roshni failane Wala Aftaab aanan faanan guroob ho gaya aur Ummat Apne Azeem mohsin se mehroom ho gayi ,
★• _ Hazrat ji Maulana Yusuf Sahab Reh.aur Hazrat Ji Maulana In'amul Hasan Sahab Reh.aur Maulana Izharul Hasan Sahab Reh. Sab ek ke baad ek Duniya e faani se rukhsat hue to tasalli dene Wala mojood Tha ,Jisne Poori ummat ki khair khwahi ki aur Dawat ke kaam ki satah ko sambhala aur badhaya bhi , Aaj ye bhi Daage mufarqat de Gaya ,Har ek Dil magmoom aur hairat mai dooba hua Tha magar qaza e ilaahi per Raza ke Siva koi chaara na Tha ,
★• _ Isha ki Namaz Tak Basti Nizamuddin ke gali kooche insaano se bhar chuke they ,Hujoom zyada hone ki Vajah se Namaze Janaza Humayu ke Makbare ke bil mukabil Park mai hui ,fir waha se Panj Peera'n Qabristan mai Janaza Pahuncha ,Jaha ek chhote se hisse mai ek taraf Maulana Abdullah Sahab Reh ki qabr Hai ,doosri Jaanib Qari Abdur Rasheed Sahab Khorjoi Reh ki aur Teesri Jaanib Munshi Basheer Ahmad Sahab Reh ki aur Darmiyan Mai Poori Duniya ko be baak Dawate ilallaah ki baat ko pahunchane Wala thaka maanda musafir Khud Khamosh ho kar so gaya,
*_ Khuda e Paak Hume is Khasara e Azeem ka ni'amul badal ata farmaye aur Aapke naqshe qadam per chalne ki tofeeq aur himmat inayat farmaye ,Aameen,**
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. *Tadfeen se Pehle Khwaab _*
↬• Hazrat Maulana ke inteqal ke baad Madina Munavvara ke Mashhoor Aalim Maulana Abdul Mannaan Sahab ne khwab dekha ,
★• _ Ek majma Hai Jisme Huzoor e Paak Sallallahu Alaihivasallam tashreef farma hai'n aur waha tamaam Sahaba Kiraam Raziyallahu anhum mojood hai'n, itne mai dekha Gaya k Hazrat Maulana Palanpuri Reh Paidal chalte hue tashreef la rahe they ,Jab qareeb hue to Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Bahut ikraam kiya aur ek Joda uthaya aur Joda pesh karte hue farmaya - lo tum isko pehan lo aur farmaya k tum Bahut thak kar aaye ho Araam karo aur Aapka Bayan hamare Sahaba ko pasand Hai ,
★• _ Fir khwab dekhne wale kehte hai'n k usi ke foran baad hi Shekhul Hadees Hazrat Maulana Muhammad Zakariya Reh bhi tashreef le aaye ,
★ • _Haay  Afsos Aapki manzilat ko hum na pa sake , Aapki zaat majma kamalaat aur baa'ise khairo barkaat thi ,Aapko Apni hayaat mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki ziyarat ka sarf khwab Mai Kai baar haasil hua  aur Ajeeb waardate runuma hui ,
★. _ Hazrat Maulana Reh ke bade Sahabzade ne farmaya k 1977 mai Makka Mukarrama mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki ziyarat hui ,Aapne farmaya k Umar Apna moonh kholo , Aapne Apna luaabe dahan daalna shuru kiya hattaki Maulana ke moonh se luaab Bahar aana shuru ho gaya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Umar tumhara Pet bhar gaya ,Maulana Reh ne farmaya Haa'n pet bhar gaya ,
★• _ Ek martaba Aap Bimaar ho gaye ,Khwab mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki ziyarat Naseeb hui is haal mai k Aap Sallallahu Alaihivasallam farma rahe hai'n k Umar Madina se chal kar tumhari iyaadat ke liye aaya hu'n ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
…… .. _*Hifze Qur'an aur Qur'an e Paak se Talluq _,*
↬• Hazrat Ji Maulana In'amul Hasan Sahab Reh se Qur'an hifz karne ke bare mai farmate k Dawat ki mashgooli ke saath nibh Jaye to Behtar hai ,
★• _ Chunache Masjide Nabvi mai Riyazul Jannah mai Hazrat ji hi se Hifze Qur'an ki ibtida farmayi aur Dawat ke kaam ke saath saath hi Chaar Saal ki muddat mai poora Qur'an hifz kar liya Tha ,aur iska khatm bhi Hazrat ji ke paas Riyazul Jannah mai Qur'an e Paak ki Aakhri Aayate suna kar kiya ,
★• _ Chunki Aapne badi Umar mai Hifze Qur'an kiya Tha ,is Vajah se Apne Aam Bayano mai ye baat farmate they k aksar bachpan ke Hafiz hote hai'n aur mai'n Pachpan ka Hafiz hu'n ,
★ • _ Maulana marhoom ko Qur'an e Paak se bahut gehra talluq Tha , Jaha'n moqa milta Qur'an e Paak ki tilawat shuru farma dete , is talluq ki bina per Dawat v Tablig ki  mashgooli ke bavjood Badi Umar mai Hifze Qur'an Paak ki daulat bhi haasil kar li ,aur Apne umoomi aur khususi bayanaat mai khutba masnoona ke baad daurane Bayan bade Dilkash andaaz mai Kaif v Suroor ke saath Qur'an e Paak ki aayato ki tilawat farmate ,esa mehsoos hota k Wo keh rahe ho :-
Qur'an mai ho  Gota Zan ey Marde Musalman ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Markaz mai Subeh Ka Bayan aur Hazrat Shekhul Hadees Reh.se Bayt_*
↬• Hazrat ji Maulana Yusuf Sahab Reh ke inteqal ke baad Markaz Nizamuddin mai Fajar ke baad Wala taveel Bayan jab Maulana Palanpuri Reh ke zimme aaya to uski ibtida mai ye noiyat hui k Markaz mai Maulana ke Bayan ke waqt ek jaanib Shekhul Hadees Hazrat Maulana Zakariya Reh tashreef farma hote aur doosri Jaanib Hazrat ji Maulana In'amul Hasan Sahab Reh tashreef farma hote ,
★• _ Dono buzurgo ne 15 din Tak Bayan suna ,fir teen din Tak Dono buzurg Hazrat Maulana Ilyaas Sahab Reh ki qabr ke paas Bayan khatm hone Tak muraqib rahe ,Jab Hazrat Shekhul Hadees Reh Saharanpur tashreef le Jane lage to Hazrat ji Maulana In'amul Hasan Sahab Reh se farmaya k Molvi Umar ke Bayan mai tumhe 40 Din Tak bethna Hai ,
★• _ Doosre moqe per jab Hazrat Shekhul Hadees Reh Markaz mai tashreef laye daurane qiyaam Maulana Palanpuri Reh se maloom kiya k kisse Bayt ho ? Maulana ne jawab mai farmaya k Pehle Hazrat ji Maulana Yusuf Sahab Reh se Bayt Tha ,Ab Maulana In'amul Hasan Sahab se hu'n , Hazrat Shekhul Hadees Reh ne farmaya- Pyare mere haath per Bayt kar le ,Chunache Aap Hazrat ji In'amul Hasan Sahab ke mashware se Bayt ho gaye aur Hazrat Shekhul Hadees Reh ne Aapko khilafat bhi inayat farmayi ,
★ • _ Is waqiye ke baad Aapko Hazrat Shekhul Hadees Reh se bahut muhabbat v azmat v aqeedat badh gayi , Jiski bina per Aap Apne Aam v khaas halaat ki ittela aur Mashwara Hazrat se lazmi bana liya Tha , Safar v hazar mai Apne halaat v kaifiyaat ke khutoot likhne ka bhi mamool rakhte ,Bairuni mumalik ke lambe safar ki Kaarguzari ke khutoot bhi tehreee farmate ,
★._ Neez Maulana Palanpuri Sahab Reh ne Kai baar Huzoor e Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki khwabo mai ziyarat farmayi Hai aur Dawate Deen ke Amal ke mutalliq Kai baar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne basharat di Hai , Khwab aur uske haqeeqate haal se  Hazrat Shekh ko zaroor ittela farmate , Hazrat Shekh khush hote aur mubarak baadi ke saath Duae'n dete ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. *Achchha Gumaan Rakhe_*
↬• Hum Apne bare mai Allah se jo chahte hai'n ,Allah Ke Bando ke saath wahi maamla akhtyar kare ,
★• _ Agar Chahte hai'n k Allah hum per Raham Kare to hum doosro per Raham Kare , agar chahte hai'n k Allah hamari galtiyo'n ko maaf Kare to hum doosro ki galtiyo'n ko maaf Kare ,
★• _ Agar ranj v takleef aaye to Aadmi ghabraye nahi aur agar raahat v ni'amat mayassar ho to Aadmi itraye nahi ,isliye k Allah ka dhyan zaroori Hai ,Usko haasil karne ke liye Allah ka zikr Kare , Qur'an e Paak ki tilawat Hai , Duae'n maangna Hai ,
★ • _ Baaz logo se munasbat hogi aur Baazo se nahi hogi aur isme koi harj nahi Hai , isliye k koi Aadmi esa nahi Hai Jisse sabhi log muhabbat karte ho ,
★. _ Hazrat Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu ne baare khilafat Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke hawale farmaya to us waqt ye Ajeeb baat irshad farmayi -"_ Bahut se Aadmi Aapse muhabbat karenge aur Bahut se narazgi akhtyar karenge , har ek Aadmi mizaaj ki munasbat se maamla karega _," ...to fir hamari tumhari Kya haisiyat Hai ,hum esa kyu samajhte hai'n k Saare log hamari haa'n mai haa'n milaye ,esa hargiz nahi hoga ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Halaat se Mutassir hona Ayb nahi_*
↬• Aurte'n Aam tor per ulti baate karti hai'n, to unse Mashwara karo ,Lekin Jo raay wo de uska Ulta karo ,
★• _ Jab ulti ko ulat doge to sidhi ho jayegi ,nafi ki nafi asbaat ka faayda deti Hai , Lekin ye maqoola Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ka saabit ho Jaye to qaa'ida kulliya nahi hoga , Aksariyat ke Hukm Mai aa sakta Hai ,
★• _ Halaat se Mutassir hona Ayb nahi Hai lekin is qadar Mutassir hona k Allah ka Hukm toot Jaye ye ayb Hai ,
★ • _ Apne group ki na-haq tarafdaari karna aur doosre group ki Haq talfi karna iska naam asbiyat Hai aur ye asbiyat Aadmi ko Allah se door kar deti Hai ,
★. _ Apne Aapko itna bhaari bhar kam na banao ( Yani Dilo dimaag mai badaai ka tasavvur na rakho ) k koi bhi baat ya nasihat karna chahe to na kar sake ,balki Apne Aapko mutawaze banaye rakho ,taki har koi be takalluf nasihat aur bhali baat keh sake ,
★• _ Baazo ko Haq baat tasleem karne mai Apni naak kat ti Nazar aati Hai ,isliye naak itni lambi na banao k katne ka Sawal paida ho ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Ijtimayi Kaam mai Bhale Aur Bure Sabko Nibha Kar Chalo_*
↬• Allah se lene Wala Bano aur Mehboobe Khuda bano aur Bando ko dene Wala Bano ,aur Mehboobe khlaqe Khuda bano to Allah ka bhi Mehboob hoga aur Bando ka bhi Mehboob hoga,
★• _ Jo Gunahgaar Tauba v istigfaar kar ke Allah Ke saamne gidgidata Hai  wo Allah Ta'ala ki zyada Mehboob Hai us shakhs se Jo Amal kar ke Fakhr aur badaai mai mubtila ho ,
★• _ Apne andar vajooh ikraam talash karoge to Aapas mai tod hoga aur doosro ke andar vajooh ikraam talash karoge to jod hoga ,
★ • _ Agar Kisi ko Taqwa Yani Khuda ka khof aur Raato ka Rona mayassar Hai to Allah Ta'ala ese logo ka Roab doosro per daal dete hai'n ,
★. _ Ijtimayi Kaam mai Bhale Aur Bure Sabko Nibha Kar chalna Hai , Ye kaam Kisi ko galat aur bura samajh Kar chhaantne ka nahi Hai , Agar Chhaantne Wala Amal rahega to aahista aahista log kam hote jayenge aur us Chhaantne Wale mai bhi koi kamzori dekh Kar doosra usko bhi chhant dega ,Natija ye hoga k Aadmi hi khatm ho jayenge ,Kaam aur Usool ka Mahal bhi nahi rahega ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. *Nafs aur Shaitaan_*
↬• Shaitaan aur Nafs ye Dono insaan ke dushman   hai'n ,lekin bada dushman Nafs Hai , Chunki Shaitaan ko Nafs hi ne gumraah kiya Tha,
★• _ Aur Badaai ka maadda bachpan hi se hota Hai ,Bachche ko Kisi maamle mai saraha Jaye to khush hota Hai aur usko nikamma aur bekaar kaha Jaye to wo na-khush hota Hai, Ye badaai ka maadda bade mujahide ke baad Aadmi mai se sabse Aakhir mai nikalta Hai ,
★• _ Baaz Deen ka kaam karne wale Aadmi buzurgo se qareeb hote hai'n magar Dil se door hote hai'n aur Baaz Aadmi Deen ka kaam door Reh Kar karte hai'n magar wo buzurgo ke Dil se qareeb hote hai'n ,
★ • _ Shadi ko kam Kharch wali aur Sasti aur mukhtasar banao to Zina ka vajood mehnga aur mushkil ho jayega aur agar Shadi zyada Kharch wali aur mehngi banaoge to Zina sasta aur aam ho jayega , mizaaje Shari'at ye Hai k Shadi ko asaan mukhtasar aur Saadi karo ,
★_ . Zindagi mai Deen ko muqaddam karo aur Duniya ko moakhar ,to Zindagi Deen ban jayegi aur agar Duniya ko muqaddam kiya aur Deen ko moakhar kiya to Zindagi Duniya ban jayegi ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

…… .. *Apni Aulaad Ko Deendar Banao_,*
↬• Mai'n Aapko Ye nahi kehta k Apni Aulaad ko Maulvi Banao ya Mister Banao ,Jo chahe Banao ,Magar ye zaroor mashwara dunga k Deendar Banao ,
"_Fir Tashreeh farmate k Agar Mister Hai magar Deendar Hai to gharane ko jannat mai le jayega ,
★• _ Agar Tu Asmaan per Muqaam ka taalib Hai to Zameen per Logo Ke Saath muhabbat ka maamla Kar , Agar Tu Sakhti karega to Teri Barabari Wala tujhse jhagda karega Aur agar wo tujhse Chhote Aur Aajiz Hai'n to wo andar hi andar kudhenge Aur unke andar ki kudhan tujhe khuda se door Kar degi ,
★• _Hazrat Umar Raziyallahu Anhu Apne zamana e khilafat mai Ameero ( Governoro ) ko likha Karte k tum Mehboob banne se be ragbat na ban Jana ,Yani yu'n mat Samajh Lena k log mujhse muhabbat Kare ya na Kare Mai'n to achcha hi hu'n ,balki Apne Akhlaq se Mehboob banne ki koshish karo ,
★ • _ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate Hai'n k Kisi ko maloom karna ho k Asmaan Mai Mera Muqaam Kya Hai to wo Apne dosto Aur mutlliqeen ko dekh le , Agar wo sab Raazi Aur Khush Hai'n to tera Asmaan Mai Muqaam Hai , Aur agar wo Tere saathi andar kudh rahe ho to tera Asmaan Mai koi  Muqaam nahi Hai,
★. _Allah Ta'ala ne Baaz ko Sakht mizaaj banaya Hai Aur baazo ko naram mizaaj banaya Hai , Usme nibhaav ka tareeqa ye Hai k Sakht mizaaj ki Sakhti per Sabr v tahammul se Kaam liya Jaye , Sakht mizaaj Ke Saath Sakhti karna Jhagde Aur intishaar ka baa'is banega Aur Narmi karna mail muhabbat ka baa'is banega,
"__ Jesa k Daant Sakht Hai magar Zubaan apni Narami ki Bina per 32 Dushmano Ke darmiyan Mehfooz rehti Hai , Lekin Narmi is qadar bhi mufeed nahi k Jo chahe galat Amal karaye Aur Aadmi har Jagah istemal ho Jaye ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

…… .. _*Ni'amato mai Shukrguzaari _,*
↬• Ni'amato Ka Husool Khuda ki Raza ki Daleel nahi Hai ,isi Tarah Takleefo ka aana bhi khuda ki naraazgi hone ki Daleel nahi Hai, Sirf Tehqeeq ye karna Hai k Hamari Zindagi khuda Aur Uske Rasool Ke Tareeqe Ke mutabiq Hai ya nahi Hai ,
★• _ Farmabardaar ko Ni'amate Raazi ho Kar di Jati Hai ,Jesa k Hazrat Sulemaan Alaihissalam Aur Hazrat Daowd Alaihissalam Ke Liye , Aur Nafarmaan ko Ni'amate Naraaz ho Kar di Jati Hai Jesa k Firoun Aur Qaroon Ke Liye , Maslan Tote ko Pinjre mai Ni'amate di Jati Hai Khush ho Kar Dil ko behlane Ke Liye Aur Choohe ko Pinjre mai Ni'amate di Jati Hai Na-Khush ho Kar Dil ki bhadaas nikaalne Ke Liye ,
★• _Ni'amato Mai  Shukrguzaar Kaamyaab Hai Aur itrane Wala nakaan Hai Aur Takleefo mai Sabr karne Wala Kaamyaab Hai Aur Na-Shukri karne Wala Na-kaam Hai ,
★ • _ Aakhirat Ke imtihan ki Kamyaaabi moqoof Hai Duniya Ke imtihan ki Kamyaaabi per , Duniya mai imtihan bhale Bure halaat la Kar kiya Jata hai, Har Haal mai Khuda le Hukm ko poora karna Kamyaaabi ki Daleel Hai ,
★. _Ambiya Alaihissalam ka dardo gam Aadmi ko Kaam Ke laa'iq banata Hai , Yahi becheni Deen ka Kaam karwayegi , Kam Salahiyat wale se bhi ,Zyada Salahiyat wale se bhi , Kam Maal wale se bhi, Zyada Maal wale se bhi, Kam ilm wale se bhi, Zyada ilm wale se bhi, Chunki Kaam Lene Wala Allah Hai ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Har Kaam Tareeqe se Hota Hai _,*
↬• Har Kaam Tareeqe se tadreeja hota Hai, Deen bhi Tareeqe ki mehnat se haasil Hoga ,
★• _ Agar Deen Ka Darakht taiyaar karna ho to Pehle Dawat ki Zameen Hamwaar Karo ,imaniyaat ki Jad lagaao ,Taleem Ke Halqo ka pani do Aur qurbani ki khaad do , Gunaaho se bachne ki baad lagaao ,Aur Zikro Tilawat aur Rona dhona ,bilbilana ,tilmilana ,garam garam Aansu ka bahana ,thandi Aanho ka bharna iski fiza ho Aur Arkaane islam ka Tana ho Aur Ma'ashrat aur Mamlaat ko adlo insaaf Ke Saath chalane ka Darakht ho Aur uske ouper Akhlaq Ke Phalo mai ikhlaas ka Ras ho , Tab Deen ka Darakht taiyaar Hoga Aur log istefada karenge ,
★•_ Deen mai pukhtgi aur jamaav haasil Karne Ke Liye halaat Aur rukawato ka aana Zaruri Hai , Ye halaat Aur Rukawate ande Ke chhilke ki Tarah Zaruri Hai'n , Jis Tarah Ande se chooje banne Ke Liye Ande ka chhilka Zaruri Hai Bager chhilke Ke Sirf zardi Aur Safedi se Bees Saal mai bhi chhoja nahi banega ,
"__ isi Tarah Deen mai Jamaav haasil Karne Ke Liye Halaat Aur Rukawato ka chhilka Zaruri Hai, Ande mai chooja banne Ke baad hi chhilka toot ta Hai ,isi Tarah Deen mai Jamaav haasil hone Ke baad hi halaat ka chhilka toot ta Hai ,
★ • _ Josh Ke Saath Hosh Aur Hosh Ke Saath Josh Zaruri Hai, Nojawano ko Josh Bahut hota Hai, unko Hosh ki lagaam Deni padti Hai , Aur Badi Umar Walo mai ( Hosh Bahut hota Hai ,unhe ) Josh ka dhakka Dena padta Hai , Dono hi Kaam Zaruri Hai'n ,
★. _ Har Nek Amal Ke achchhe asraat poore Aalam per gair Mehsoos Tareeqe se asar andaz Hote Hai'n ,ba sharte k ye Amal Nahaje Nabvi per ho , Goya Nek Amal ka asar aalangeer hota Hai , Jis Tarah ek bade Hauz mai pani Paanch Dol daalne se us Hauz ki satah gair Mehsoos Tareeqe se Charo taraf kuchh na kuchh badti Hai Aur Paanch Dol nikaalne se poore Hauz ki Chaar jaanib se pani Kam hota Hai , Chahe Hauz ki ek hi jaanib se Dol daalne ya nikaale Gaye ho ,
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Jaan maal ka Sahi istemal ho _,*
↬• Doosro Ke Jaan maal se mustagni hona Aur Apne Jaan maal ko Doosro Ke Liye istemal karna Jod Aur ijtimaiyat ka baa'is Hoga ,
★• _ Roohani Ni'amat jis per itrahat Paida ho Jaye wo Roohani Ni'amat nahi rehti balki nafsani ban Jati Hai ,
★• _ Raahat v Ni'amat baa'ise Barkat bhi Hai Aur waqfa mohlat bhi , agar Raahat v Ni'amat farmabardari Ke Saath Hai to ye baa'ise Rehmat v Barkat Hai , Aur agar Na-Farmani Ke Saath Hai to ye waqfa mohlat Hai ,
★ • _Nakaz Padhne per Kaam ban Jana Aur is vajah se Apne Aapko Buzurg Aur Paak Saaf Tasavvur karna tanazzul ka baa'is Hai , Chunki isme Aadmi ka kamaal nahi Hai balki Taseer Amal ka izhaar Waada e Khudawandi ka atmaam Hai , Baari Ta'ala ka farman Hai Apne Aapko paak saaf na samjho , Jo gunahgaar Tauba v istigfaar Kar ke Allah Ke Saamne gidgidata Hai Wo Allah ko zyada Mehboob Hai us Shakhs se jo Nek Amal Kar ke Fakhr Aur Badaai mai mubtila ho ,
★. _ Mujahida Takleefe Uthane ka Naam nahi Hai ,Ye Jogiyo Wala Mujahida Hai Jo Shari'at mai matloob v Mehmood nahi Hai , Jese Sardi mai bachaav ka samaan Hai Aur istemal na karna Mujahida nahi Hai, isme sawab bhi nahi balki gunaah Hai ,
"__ Mujahida wo banta Hai k Khuda ka Hukm Aur Deen ka taqaza saamne aaye Jo Nafs Ke Khilaf ho Takleef utha Kar usko poora Kare , Lekin Takleef ki had ye Hai k Khuda ka Hukm tootne na paye , ye Mujahida insaan Ke Liye baa'ise taraqqi banega ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

❈…… .. _*Narmi Aur Sakhti Ka Galat istemal na Ho _,*

↬• Allah Ta'ala ne jisko Naram banaya Hai Wo Naram rahega ,Lekin Narmi ka Galat istemal na hona chahiye Aur Jisko Sakht banaya Hai Wo Sakht rahega ,Magar unki Sakhti se Dil bardashta na hona chahiye balki ijtimiyat aur Jod barqaraar rakhne Ke Liye ek doosre ko nibhana Zaruri Hai ,

★• _ Soddiqe Akbar Raziyallahu Anhu Jamaali they aur Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu Jalaali they ,Magar ek doosre ko nibhate they , Soddiqe Akbar Raziyallahu Anhu ne Zakaat ka inkaar karne Walo Aur murtadeen Ke muqable ka Hukm Diya to Farooqe Aazam ne us Waqt mashwara diya k Azwaaje mutahraat Aur Aurto'n Aur Bachcho ki hifazat ka masla Hai , Us Waqt Siddiqe Akbar Raziyallahu ne Jalaal mai aa Kar Sakhti Ke Saath Farooqe Aazam ko farmaya k - islam se pehle bade jaabir Aur Jari they aur islam mai buzdil ban rahe ho , Farooqe Aazam ne ye Sakhti bardasht ki Aur Siddiqe Akbar ka Hukm tasleem kiya , 

★• _ Ek doosre moqe per Siddiqe Akbar ne mojooda Sahaba Ke mashware se do Ashaab ko Zameen ki dastawez likh di , Jab ye Do Sahabi Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu Ke paas dastkhat ke Liye pahunche , Farooqe Aazam ne Sakhti Ke Saath dastawez ko faad diya Aur keh Diya k ye Zameen Aammatul Muslimeen ki Hai , Sirf Abu Bakar ka haq nahi Hai , Jab in Dono Hazraat ne Siddiqe Akbar se Farooqe Aazam ki Sakhti ki kaifiyat Bayan ki Aur kaha k Amirul Momineen Aap Hai'n Ya Umar ?

"_ To Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu ne kya hi umda Baat irshad farmayi k Ameer banne ka istehqaaq to Umar ka Tha ,Magar ye baar mere Sar per thop Diya Hai , Algaraz Allah ne Jisko Sakht mizaaj banaya to Sakht hi rahega Magar ijtimaiyat Aur Jod barqaraar rakhne Ke Liye tahammul Zaruri Hai,

★ • _ Salfi Nizaam bhi Uluvi Nizaam ki Tarah Zaruri Hai,Lekin umdah Aur behtar tareeqa ye Hai k Salfi Nizaam Ke alawa uluvi Nizaam mai bhi judne Wala bane , Lekin Salfi Nizaam ko bhi bekaar na samjha Jaye , Chunki inka bandobast mai lagna poore majme Ke Liye Raahat pahunchane ka qavi zariya Hai ,agar Salfi Nizaam Amal mai na aaya to Uluvi Nizaam dhara reh jayega Aur majma pareshaniyo mai mubtila Hoga ,Aur iske Bager majma Joda bhi nahi ja sakta, 

" _ ( Salfi Nizaam Yani Majme ko Raahat pahunchane wale asbaab mai lagna , Khane Pine , Light Aur Shamiyana vagera ka bandobast, Aur Uluvi Nizaam Yani Taleem ,gasht ,Bayan ,Jama'at mai nikana vagera )
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. *Insaan Ke Tajurbe se Zyada Pakki Baat_,*

↬• Jis Tarah Allah Ta'ala ne Cheezo mai Taseee rakhi Hai ,using Tarah Allah Ta'ala ne A'amaal mai bhi Taseer rakhi Hai,

★• _ Lekin Cheezo ki Taseer Ka Allah Ta'ala ne tajurba Kara diya Aur A'amaal ki Taseer Ka Allah ne waada kiya Hai , insaan Ke Tajurbe se Zyada Pakki Baat Aur sachchi Baat Allah ka Waada Hai , insaan Ke Tajurbe Ke Khilaf ho sakta Hai,Lekin Allah Ke waade Ke Khilaf nahi ho sakta Hai,

★• _ Agar Dawat e Deen ka Kaam Nahaje Nabvi Ke mutabiq Hoga to baniyo'n Ke mulk mai Awliya Paida honge ,

★ • _ Zikre Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ke Saath Fikre Rasool bhi zaroori Hai , Rabiul Awwal ka Mahina Sirf Zikre Wiladat Ke Liye nahi Hai balki Aap Sallallahu Alaihivasallam wali Fikr  Ke Husool Ke Liye bhi Hai , isliye Ek hi Mahina zikr Ke Liye kaafi na samjha Jaye , balki qadam qadam per Aapka zikr Aur Aap Wala Fikr Zaruri Hai ,

★. _ Mahaz Tablig mai Firna nahi Hai,balki Apne androon Mai iski Haqeeqat ko firana Hai , faqat Awqaat ke mutabiq nahi Hai, balki Awsaaf ka haasil Karna Zaruri Hai ,

★• _ Fatwa Hudoode Shari'at ki batata Hai Aur Taqwa Mizaje Shari'at ki nishandehi karta Hai , Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu Aur Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu ne Mizaje Shari'at ko bataya Hai, Aur Usman Gani Raziyallahu Anhu Aur  Ali mutuza Raziyallahu Anhu ne Hudoode Shari'at ko bataya Hai,


            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Usool mai Lachak Hai _,*

↬• Dawat Tablig Ke maruja Usool mai Lachak Hai, ye Usool mansoos nahi Hai k isme tabdili na ho , Halaat Aur Moqe v Mahal Ke aitbaar se isme Lachak ki gunzaish Hai ,

★• _ Kisi Jagah per Dawat Ke Kaam mai Be-Usooli ho rahi ho to us per ek dam Break mat lagao , isse Usool aata nahi Hai Aur Kaam thoda Bahut Jo ho raha Tha wo khatm ho Jata hai ,

★• _ isi Tarah Kisi Aadmi se be usooli ho rahi ho to use bhi Khush uslooli se Usool per lane ki koshish karo , usko Kaam se kaatne Aur door karne ka mat socho , infiradi Tor per be usooli ho rahi ho ya ijtimayi Tor per is andaz se be usooli ko khatm karna Hai k hamara Bhai Aur Kaam bhi baqi rahe Aur Deen ka Kaam aur hamara Bhai bhi Usool per aa Jaye ,

★ • _ Deeni Dawat ka Kaam ijtimayi Hai , isliye Ek doosre ke Saath nibhaav Ke Liye Mel muhabbat Aur Akhlaq Wala maamla Zaruri Hai, Khususan Apni Zubaan ki hifazat ki Jaye , Chaaploosi ,Khushamad Aur Mudahnat Kar Ke Muhabbat haasil Karna khuda ko pasand nahi Hai , Chunki Chaaploosi se Jo muhabbat haasil ki Jati Hai, isme Apne walo ki tarafdaari Aur Gairo ki haqtalfi hoti Hai isliye in tamaam nazakato ki ri'ayat ijtimaiyat ko barqaraar rakhne Ke Liye Zaruri Hai ,

★. _ Duniya ki koi University, College ya madarsa imtihannaat Ke parche Zaahir Aur Out nahi karta Aur sawalaat ka parcha out ho Jane per bhi koi taalibe ilm fail ho Jaye to nihayat fisaddi Aur na ahal samjha jayega Aur Allah Ta'ala ne Apne Karam se sawalaat Zaahir Aur Out Kar diye Aur mazeed ye Karam kiya k Jawabaat bhi Bata diye ,Hume is Duniya mai Taiyari karni Hai ,


            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Hayate Deen Ke Liye Aham Baate_*

↬• Khuda ki taaqat Ke muqable mai Duniya ki sasri taqate makdi ka jaala Hai'n Aur khuda Ke khazano Ke muqable mai Duniya Ke khazane machchhar ka par Hai'n ,

★• _ Khuda ki taaqat Aur khazano se talluq Deen ki vajah se Hoga , is Azeem Deen ko zinda karne Ke Liye mulko Maal Aur Ohde ki Zarurat nahi Hai , balki iske Liye insaan ka Mujahida ,Qurbani Aur iske Liye Hausle ki Zarurat Hai ,

★• _ Deen Ke Husool Ke Liye Mujahida Aur Takleefe Uthane Ke aadi bano ,Bebas Aur bekas insaan bhi  qurbani Aur Mujahida akhtyar Kar Ke Khuda Aur uske Deen se talluq Paida karega to Khuda uske haatho bhi Deen ko zinda farmawenge , 

"__Khuda Ke nazdeek ohda mulko Maal Aur liyaqat shart nahi Hai, Sirf Khuda ki Raza Aur Uski nazare Karam shart Hai , isliye Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Mai'n Badshahat wali Nabuwat nahi chahta balki faqeeri wali Nabuwat chahta hu'n ,

★ • _Sahab Raziyallahu Anhum ne dariya e dajla Aur Qatra Dono ko barabar samjha , isliye k Sahaba ka Yaqeen Tha k saari makhlooq taaqate Khuda ki taaqat Ke muqable mai zarra ki Haisiyat rakhti Hai , Khuda chahe to ek qatre se Maut Ke ghaat utaar de Aur agar Khuda chahe to Dariya e Dajla se sahi saalim paar Kar de , is Yaqeen Ke Saath Sahaba Raziyallahu Anhum ne Apne Ghode Dariya e Dajla Mai daal diye Aur Paar utar Gaye ,
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. *Shaitaan Ka Dhoka_,*

↬• Dawat Ka Kaam Karne walo ko Baanjh ban Kar nahi marna Hai ,Baanjh ke ma'ani ye Hai k Fala Aadmi Mar gaya to Deen Ka Kaam band ho gaya ,

★•_ Ese Andaz se Kaam liya Jaye k doosre Kaam Karne wale bane ,Aadmi khoob Kaam kare aur Apne Aapko thaka de , Lekin doosre Kaam Karne wale Aadmi na banaye to ye uske Liye Shaitaan Ka Dhoka Hai , 

★• _ Khuda Apni zaat se chhupa hua Hai , Magar Dala'il ke aitbaar se nirala Hai , Khuda ke munkir ko Khuda ki nishaniya'n samjha Kar qaa'il Karo , Fir Khuda ki marzi Bata Kar Deen ki taraf maa'il Karo ,Fir Dawat ke Kaam per khada Kar ke ghayal Karo ,

★ •_ Aaj Ka gaib Maut per mushahid hoga ( Aaj Jo Nazar nahi aa raha Hai Wo Maut aate hi Nazar aane lagega ) Aur Aaj Ka Mushahid Maut per Chhup jayega , Maut ke waqt imaan v A'amaal ki qeemat aur taseer ko tasleem karna Allah aur uske Rasool Ki khabar ko tasleem karna nahi Hai balki Apni Nazar ko tasleem karna Hai , 

★. Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Pakiza tareeqa aam Karne Ke Liye Sahaba ki Jama'ato ko bahar bheja aur hidayat farmayi k hamara maqsad ladaai nahi Hai , Deen mai Rukawat paida Karne walo ki misaal Jism Mai Fodo ki Hai , iska andar se ilaaj Dawat ke Jushande se karna Hai ,aur bahar se Akhlaaq Ka marham lagana Hai , iske bavjood fode Zehreele aur la ilaaj ho to fir unka operation Karna Hai , 

★• _ Jis Tarah Makki Zindagi mai andar Ka ilaaj Dawat ke Jushande se aur Bahar Ka ilaaj Akhlaaq ke marham se kiya gaya , Magar fode Zehreele aur la ilaaj hone ki vajah se Badar mai unka operation Karna pada , Bahar haal maqsad ladaai nahi Hai, Pakiza Tareeqa poori Duniya mai Aam Karne Ke Liye Darmiyan mai aane wali Rukawato ka dafa Karna maqsood Hai ,

                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Deen Kese Failega,*

↬• Mojooda Aalam Fitno Ka daur Hai , Kahi Jhooti nabuwat Ka daava Hai ,Kahi Hadees Ka inkaar Hai , Kahi Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki Muhabbat mai be inteha gulu Hai ,

★• _ Baazo Ka Khayal Hai k islami Hukumat hogi to Deen felega , Unke bar khilaf hum ye kehte hai'n k Hikmat Ka tqaza ye Hai k Qur'an v Hadees ki roshni mai Asal usool v Dawate Deen ko Akhtyar kiya Jaye ,Jisme Tamaam Fitno aur ikhtilafaat Ka Hal Hai ,

★• _ Kaaynaat ki Khaaliq aur Maalik zaat waahid Hai ,aur tamaam insano Ka Duniya mai aane Ka tareeqa bhi waahid Hai aur is Duniya se har ek ke Jane Ka bhi tareeqa waahid Hai, Dono Duniya mai Aman v Raahat haasil Karne Ka tareeqa bhi waahid Hai, Jisko qadire mutlaq waahid zaat ne tajveez farmaya Hai ,

★ • _ Jo insaan Apni aqal se tareeqa e hayaat tajveez karta Hai uske Galat hone Ka tajurba aur mushahida raat din hota rehta Hai , isliye Aqal mai na aane wali Baat ko samajhne ke Liye Ambiya Alaihissalaam Ka Sahara Lena padta Hai ,Jinka Talluq Wahi e Wahduhu La Shareek la se hai , 

★. _ Deen Ka Kaam Jis qadar ho raha Hai,laa'iqe Shukr Hai , Lekin zyada Kaam baqi Hai , iski fikr zaroori Hai , Lihaza Deen ki Jaddo Jahad Karne walo ke Liye qurbani ki miqdaar badti rehni chahiye, 

★• _ Qurbani ki Seedi banao ,Chabootra na banao , Varna naye Kaam Karne wale ruk jayenge ,  Jis Tarah Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Uhad ke moqe per Zakhmi Sahaba ko Saath liya ,Doosre taza dam Sahaba ko Saath nahi liya ,Jab Qurbani dene walo ki miqdaar ko badhaya tab Allah ki madad shamile haal ho gayi ,
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Khazano Ki Kunji _,*

↬• Jama'at Ka usool ye Hai k Apni Jaan aur Maal ke saath Allah ki Raah mai nikle , aur usool ke daayre mai Deen Ka Kaam kare ,

★• _ Agar Jama'at Ka Koi Aadmi kisi se sawal kare ya kisi qism ki Koi Galti kare to ye us Aadmi ki Galti shumaar hogi , Jama'at Ka usool aur Kaam Apni jagah per Sahi Hai , Jis Tarah imaam Namaz mai qiraat Galat padh de to Qur'an Apni jagah Sahi Hai aur rahega ,Mahaz is Amal ko imaam ki Galti maana jayega ,

★• _ Dawat Ka Kaam Aalami paimane per Karne Ka Hai aur zahiri Aadmi Ka Koi zariya nahi Hai , balki kharch Ka sawal Hai to ye Kaam poori Duniya mai kese chale iske Liye Allah Ta'ala ne Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko asmaan per bulaya aur Apne khazane dikhaye ,aur un Khazano ki Kunji de di ,aur Wo Kunji yahi Namaz Hai , 

★ • Saare Ahkamaat zameen per diye gaye , Namaz Ka Tohfa Asmaan per Diya gaya ,Lihaza Deeni aur Duniyavi Masa'il ke Hal mai Sabse Azeem Amal Namaz Hai ,

★. Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka Mairaaj ke Din tamaam imaamo ( Ambiya) ki imaamat karana daleel Hai k Allah Ta'ala ne Pichhle Ambiya Alaihissalam ke tareeqe mansookh farma diye ,aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Wala tareeqa qayamat Tak ke Liye Sabt Kar Diya ,

★• Jab Ruhaniyat wale tareeqo Mai kamyaabi nahi rahi to Dushmano ke tareeqo Mai kamyaabi kese mil sakti Hai , Lihaza Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka tareeqa Akhtyar karna kaamyabi aur Khuda ki Rahmat v barkat Ka baa'is Hai aur iska tark Karna nakaami aur azaab v bala Ka baa'is Hai,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*QusoorWaar Kaun Hai ?*

↬• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Paak Tareeqe ke bal boote per Sahaba Raziyallahu Anhum Apne ghode samet dariya e dajla se paar ho gaye ,

★• _ Bani israiyl bhi samandar mai chale they Magar Nabi ki Ma'iyat mai chale ,aur raasta bana , us Raaste mai chale ,Lekin Sahaba Raziyallahu Anhum Nabi ki Ma'iyat ke bager Samandar mai chale aur Paani ke ouper chale , Sirf Sahaba Raziyallahu Anhum hi nahi Sahaba ke ghode bhi chale , 

★• _ isliye hum Lawarish nahi hai'n balki hamare paas Paak aur Thoss tareeqa Hai , Mahaz hum qusoor waar hai'n ,isliye k Paak Tareeqe ki hamare haatho na-qadri ho rahi Hai ,

★ •_ Sirf Khud Khaa Lena ,Pi Lena aur Makaan bana Lena aur Apni zarurato ko poora Kar Lena Sifte Haiwaniyat hai ,Ye insaani Kamalaat mai se nahi hai'n , Doosre Ko khilana Pilana aur Makaan bana Dena aur uski zarurato mai Kaam aana ye Kaare Khilafat Hai ,insaan Ka Kamaal jab Hai k Sifate Khulfa Ka mazhar bane ,( Yani Khulfa e Rashedeen Ki  Sifaate Apne andar paida kare ) ,

★. _ Hindustan walo ko imaan Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Taa'if wali Takleefo per Mila , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko Taa'if mai dhakke dene walo ke bare mai Hume ranj v Gam aur Sadma Hai aur Hona bhi chahiye , 

★• _ Lekin Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne jis Pakiza Tareeqe ko Jaari Karne Ke Liye Dushmano ke dhakke khaye aur Takleefe jheli , Aaj Yahi Pakiza tareeqa hamare gharo aur Karobaar aur Shadiyo'n se dhakke kha raha Hai, Ye zyada dard bhari Baat Hai Jo hamare Liye baa'ise ibrat Hai ,

                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. *Teen imtihanaat_,*

↬• Madaris mai Sa maahi ,Sash maahi aur Salaana imtihaan liye Jate hai'n, isi tarah Allah ki taraf se bando Ka teen martaba imtihan liya jayega ,

★• _ Pehli martaba Duniya mai Raahat aur Takleef wale halaat Laa Kar imtihan v Aazma'ish ki jati hai, 

★• _ Doosri martaba Qabr mai teen sawalaat Kar ke imtihan liya jayega,aur Teesri Marraba Qayamat ke roze mahshar mai har insaan se paanch Baato Ka Sawal kar ke imtihan liya jayega, 

★ •_ Allah ki taraf se Sawalaat aur Jawabaat Ambiya Alaihissalam ke zariye Zaahir ho chuke hai'n , iske bavjood iski taiyaari mai mashgool na hona nakaam hone ki daleel Hai , 

★. _ Insaani Badan ke A'aza Naak Kaan Aankh Zubaan Haath aur Paanv vagera Ka rang ,Size aur Kaam har ek Ka Alag Alag Hai ,Lekin Rooh ki vajah se sabme jod Hai , Agar Rooh na rahe to jod ke bajaye tod ho jayega ,

★• _ Maloom hua k Rooh mai Jod ki Sift Hai , aur Jism mai Tod ki Sift Hai , Agar insaan Maqsade Hayaat Jismani Taqazo ko poora Karna banayega to Aapas mai Tod ho jayega aur agar Maqsade Hayaat Roohani taqazo ko poora Karna banayega to mabeen jod hoga ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. *Tadbeer aur Taqdeer_,*

↬• Zaahiri Asbaab is tarah Akhtyar Karo k Gaibi Asbaab khilaf na ho Jaye , Tadbeer Akhtyar Karo Magar Taqdeer Ka Yaqeen jama Kar karo ,

★• _ Aur Tadbeer Khuda ke hukm ke mutabiq Karo ,Agar Tadbeer chali gayi tab bhi kamyaabi Hai ,

"_ Chunki Khuda Ka hukm poora kiya to Asmaano per Anjaam likha gaya aur Agar Tadbeer Khuda Ka hukm tod Kar Ki aur Wo chali bhi to Anjaam bura aayega aur Ouper Ka faisla Khilaf hoga , isliye Har Kaam Allah ke iraade se banta aur bigadta Hai ,

★• _ Aaj Poori Duniya mai Khaano ( Darjaat) ke badalne ki Mehnat ho rahi Hai,Har Aadmi chahta Hai k Mai'n Niche khaane mai se ouper ke khaane mai Chala jau'n ,Lekin Khaano ke badalne se Zindagi nahi badalti ,

★ • _ Jis Khaane mai Allah ne rakha hai us khaane mai Reh Kar Daana daalne wale ko hum raazi kar le to usme Zindagi ki tabdeeli aur kamyaabi Hai , Firoun , Qaroon ,Hamaan ouper ke khaane mai rehte hue Daana daalne wale ko naraaz Kar Diya to barbaad ho gaye ,aur Bani israiyl ne Allah ko Raazi Kar liya to niche ke khaane mai bhi kamyaab ho gaye ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Ameer Kaun Hai? Aur Kalme Ki Haqeeqat*

↬• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Ameer Wo Hai Jo Majme ke Saath Ghul Mil Kar Tawazo ke Saath rahe aur Har Waqt Kaam ki Fikr Karne Wala ho ,

★• _ Aur Mamoor Wo Hai Jo Fikr mai Ameer Jesa ho na iqtedaar v akhtyar mai , 

★• _ Electric Roshni me Liye ek Taar Negative hota Hai aur Doosra Taar Positive hota Hai , Do mai se ek Taar na ho to Andhera ho jayega ,Lihaza Roshni ke liye dono taaro Ka hona zaruri Hai ,

★ • _ isi tarah Kalme ke har Do Juzv mai ek pehlu Musbat Ka aur Doosra pehlu Manfi Ka ,ek Plus Ka Doosra Minus Ka Hai ,Kalme mai ye dono pehlu zaruri hai'n , Varna imaan ki Roshni haasil na hogi ,

★. _" Laa ilaaha illallaah" mai ek juz "Laa ilaaha " Doosra juz " illallaah " Hai , Sirf " Laa ilaaha " bhi kaafi nahi aur " illallaah" Keh Kar auro ko bhi Shareek Kar le to bhi imaan ki Roshni nahi milegi ,Balki zalalat Ka Andhera ho jayega ,

★• _ Isi tarah "Muhammadur Rasulullah " mai bhi do juz tasleem Karne honge ,Ek pehlu Mnfi  Ka hai k Aapke baad Koi Nabi nahi aayega ,Agar Aapke baad kisi Nabi ki Nabuwat ko tasleem karega to fir zalalat Ka Andhera ho jayega ,

"__ Doosra Pehlu Musbat Ka Hai ,Jab Koi Nabi nahi aayega to Aap Sallallahu Alaihivasallam Wala Kaam ye ummat karegi ,Jis Tarah Manfi pehlu zaruri Hai ,Usi tarah Musbat pehlu per bhi Amal Karna zaruri Hai ,Varna zalalat Ka Andhera ho jayega ,
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Husoole Hidayat Ke Liye Dua Ke Saath Mehnat bhi _,*

↬• Allah Ta'ala ne Tamaam insaano ke Halaat ko A'amaal se Joda Hai aur A'amaal ko A'aza se aur A'aza ko Dil se Joda Hai ,Aur Dil Khuda ke Qabze mai Hai , 

★• Agar Dil Ka Rukh Allah ki taraf ho Jaye to A'amaal Allah Ta'ala ke liye ho Kar Duniya v Akhirat ke Halaat banenge ,aur Agar Dil Ka Rukh Girullah ki taraf ho to A'amaal Gairullah ke liye ho Kar Halaat kharaab honge ,Hattaki Shaheed ,Sakhi aur Qari bhi ho to Dozakh mai jayega , Lihaza Dil Ka Rukh Allah Ta'ala ki taraf ho ,ise Hidayat kehte hai'n ,

★• _ Hidayat Ek Noor Hai Jo insaan ke Dil mai daala Jata Hai , Jese Chaand Suraj ki Roshni se cheezo ka nafa nuqsaan Nazar aata Hai ,Aur Batini A'amaal ke nafa nuqsaan ko batane ke liye Noore Hidayat Hai ,

★ • _ Dil mai Hidayat Ka Noor ho to Amanat aur Sachchai mai nafa Nazar aata Hai Aur Khayanat mai Jhoot  mai nuqsaan Nazar aata Hai, isse maloom hua k har insaan ko Sabse zyada zarurat Hidayat ki Hai aur Hidayat Khuda ke Qabze mai Hai ,

★. _ Khuda se Hidayat lene ke liye Dua Ke Siva aur Koi raasta nahi Hai , isliye sabke Liye mushtaraka Dua Surah Fatiha mai Hidayat ki tajveez ki , Rozana Namaz mai qariban 50 martaba Hidayat ki Dua maangna zaruri qaraar diya Hai,

          *اهْدِنَا الصِّرَاطَ الْمُسْتَقِيمَ*

★• _ Lekin Ye Duniya Darul Asbaab Hai ,isliye Dua Ke Saath Hidayat Ko haasill karne ke Liye Mehnat Karna bhi zaruri Hai, Agar Mujahida kiya Jaye to Allah ki taraf se Hidayat Ka vaada Hai , Ek Taraf Mujahida ho aur Doosri taraf Dua ho ,Allah Ta'ala ki zaat se Hidayat Milne Ka ye qavi zariya Hai ,
                  
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Haqeeqat Do Moqo Per Khulti Hai _,*

↬• Qur'an ne Hayaate Duniya ko dhoka aur Maut ko Haqeeqat kaha Hai Yani izhare Haqeeqat Ka ek muqaam Maut Hai ,Us Waqt Akhirat Ka manzar aur Haqeeqat saamne aayegi ,

★• _ Jis Tarah khwab ki ni'amate aur Takleefe dhoka Hai aur izhaare Haqeeqat Ka Waqt bedaari hota Hai, isi tarah Maut ke waqt Haqeeqat khul jayegi ,Lekin us Waqt Haqeeqat Ka khulna besood hoga ,chunki Aadmi Zindagi tabdeel nahi Kar Sakta aur na is Duniya mai waapas aa Sakta Hai ,

★• _ Doosra muqaam Dawat Ka Hai , jab Aadmi Dawat ke Amal ko Apna leta Hai to bil akhir Daayi illallaah per bhi Maut se pehle Akhirat ki haqeeqat khul jati hai aur Deen ke liye jis qadar bhi Takleefe pesh aati hai'n wo Jahannam ki takleefo ke bil muqabil halki tasavvur Kar ke bardasht Kar leta Hai ,aur Yaha ki thodi raahate Jannat ki Raahato ke bil muqabil qurban Kar deta Hai , 

★ •_ Dawat ki fiza Qaa'im Karna tamaam Ambiya Ka mushtaraka Amal Hai , Aap Sallallahu Alaihivasallam khatimul Nabiyeen hai'n, Lihaza Aapke baad Koi Nabi nahi aayega Lekin Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shaan Rehmatul Aalameen bhi Hai ,is naate Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Dawat Ka Amal Jaari rakha aur Aam Kiya aur Ummat ke zimme Kiya , 

★. _ Lihaza Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Baad Nabuwat Ka Daava Karna ye Aapki Shaan mai gustakhi Karna Hai Lekin Aap Wala Kaam Karna ye Aapke liye baa'ise aizaaz Hai , Chunki ye ummat bhi Nabiyo Wala Amal karegi isliye Khayre Ummat keh Kar isko bhi aizaaz bakhsha gaya ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Kaaynaat Ki Paidaish Ki Chaar Maslihate_,*

↬• Kaaynaat ki Paidaish ki maslihato mai se ek maslihat ye hai k insaan Ka Badan Kaaynaat ki cheezo se banaya gaya Hai to Kaaynaat ki Paidaish insaan ke jism ki tarbiyat ka zariya Hai ,

★• _ Doosri Maslihat Khuda ki ma'arfat ki isme nishaniya'n hai'n , Khuda ki zaat dikhayi nahi deti ,iske Liye zameen v Asmaan ,Chaand Suraj Sitaare, insaano ki Awaazo aur Chehro Ka Alag Alag hona ,Raat aur Din Ka hona ,Esi beshumar nishaniya'n mazahire qudrat hai'n ,Jisse insaan Khuda ki ma'arfat haasil Kar Sakta Hai , Goya Kaaynaat ki Paidaish ye Silsila Ma'arfate khudawandi Hai , 

★ •_ Teesri Maslihat Kaaynaat ki Paidaish Aazma'ish ke liye Hai , k insaan Kaaynaat ki cheezo mai ulajh Kar Reh Jata Hai ya Ahkaame Khudawandi ki ri'ayat mai Cheezo ko qurban karta Hai , 

★. _ Chothi Maslihat Kaaynaat ki cheeze ,Mulk v Maal ,Sona Chaandi ,Rupiya Paisa ,Ohda Digree ,Dukaan Khait ,ye zarf Yani ( Khaali ) Bartan ke qaa'im muqaam Hai , is Bartan mai wo milega Jo Khuda ki taraf se daala Jaye ,

★• _ Firoun ke Mulk v Maal ke zarf mai nakaami daali gayi aur Sulemaan Alaihissalam ke Mulko Maal ke zarf mai Kaamyabi daali gayi, To izzat v Zillat , Kaamyabi v Nakaami Ka maiyaar Bartan Ka Chhota ya bada hona ya Kam zyada hona nahi Hai balki Maiyaar insaan ke Badan se nikalne wale A'amaal hai'n , uske mutabiq Khuda ke Faisle Hote Hai'n ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. *Magribi Mumalik islami Mashrat se Khofzada hai_,*

↬• Magribi Mumalik ( Western Countries ) Ko khatra ibaadato se nahi Hai , islami Mashrat se Hai , 

★• _ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki layi Hui islami Mashrat wo Sirf Kitaabo mai nuqoosh Hai , Musalmano ki Zindagi mai mojood nahi Hai ,Humne Poori Duniya Ka research Kiya Hai , Saari Duniya Pareshan haal Hai , Aman v Sukoon wale Tareeqe ki talash mai Hai , 

★• _ Paani Tumhare paas Hai ,aur Poori Duniya pyasi Hai , Dava Tumhare paas Hai aur Poori Duniya Bimari mai mubtila Hai , Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka tareeqa e Zindagi Amno Amaan se bhar poor Hai , Nuqoosh mai se nikaalo aur Apne Nufoos mai dakhil Karo ,Taki log ise dekhe aur is Pakiza Tareeqe ko dekh Kar Poori Duniya ke log Raayaab ho ,

★ • _ insaan ne Pakhane se le kar Chaand Tak Ka research Kiya Magar Apne Aapko Nazar andaz Kiya , Doctoro ne Pakhane Ka research kiya Aur Science dano ne Chaand Ka research Kiya ,Lekin insaan ne Apna research nahi kiya ,iska natija ye nikla k Sabse zyada be qeemat makhlooq Aaj Duniya mai insaan Hai ,

★. _ Makaan Dukaan aur Zameen ke tukdo ke liye insaano ko maara Jaye aur mansooba bandi ki sceam insaano per thop Kar khalq ko aa'inda Duniya mai aane se rokne ki koshish ki Jaye , Halanki darakht ke liye qanoon nahi Hai k esa darakht ugaao Jisme paidawaar Sirf teen man ho , Lekin Hazrate insaan itne be qeemat hai'n k teen se zyada Duniya mai na aaye ,

★• _ Kyunki insaan ne Apni qeemat ko kho diya halanki Allah Ta'ala ne insaan ko itna qeemti banaya Tha k Farishto se Sajde karaye ,aur unko fazilat di ,Jab insaano ne haiwaano jese Kaam kiye to insaano se insaan ki Zindagi ujadne lagi ,aur insaan be qeemat hota Chala gaya,
    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Mahaz Rooh Ke Maqamaat Tabdeel Hote Hai'n,*

↬• Rooh Insaani daaymi aur Abdi Hai ,Mahaz Rooh Ke Maqamaat Tabdeel Hote Hai'n,Aalame Arwaah se Jism mai aur Jism se Aalame Barzakh mai aur Aakhri muqaam Aalame Akhirat hoga,

★• _ Aur Jism insaani Kaaynaat ki cheezo se taiyaar hua Hai , Iske Ajza Poore Kaaynaat mai bikhre hue they , Suraj ki kirno aur Chaand ki Roshni mai ,sitaaro ki taseer aur Hawao'n ki lehro mai ,Barish ke qatro aur Zameen ke zarrraat mai aur Khaad ki gandgiyo mai , 

★• _ Baari Ta'ala ke nizaam ne Saare Ajza ko yakja Kar ke khuraak aur Giza taiyaar ki , Mard v Aurat ne istemal ki aur Mani Bani ,aur isi se insaani Badan taiyaar Kiya aur iski Rooh Aalame Arwaah se aayi aur insaan wajood mai aaya ,

★ • _ Jiski Had Maut Hai ,Fir Jism fana Kar Diya jayega aur Baroze Qayamat dobara zarrraat jama kar ke wajood bakhsha jayega , Jo Khuda ek baar Kaaynaat ke zarrraat jama kar ke paida Kar chuka Hai,Uske liye Doosri martaba paida Karna nihayat Asaan Hai ,

★. _Karodo insaan is Haqeeqat se be khabar hai'n aur Jo Ba khabar hai'n wo bhi gaflat Ka shikaar ho Jate hai'n, Algaraz Ba'as Ba'adal Maut Yaqeeni Hai , 
         
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*imaan Ki Kamzori Ki Asal Vajah _,*

↬• Ummate Mislima ne Dawate Deen Ke Amal ko Chhod Diya jisse imaan mai Zo'af paida hua aur Akhirat ki Fikr Khatm ho gayi ,Duniya ki ahmiyat aur fikr bad gayi aur ibaadat bejaan ho gayi ,

★• _ Fir Maal aur Jaan ke zariye Akhlaaq Ka baratna na raha ,isliye Akhlaaq bigad gaye ,Jiski vajah se Duniya Ka Amno Amaan Ka nizaam darham barham ho gaya ,

★•_ Dawate Deen ki Fiza aur Mahol se imaan mai quwwat paida hogi aur imaan ki quwwat se ibaadat mai quwwat paida hogi aur ibadaat se Allah Ta'ala Ka talluq paida hoga , 

★ • _ Allah Ta'ala Ka talluq ... Yahi khilafate Khudawandi Hai  aur Jaddo Jahad Kar ke Dawate Deen ki Fiza qaa'im karna Ye niyabate Sayyadul Ambiya Wala Amal Hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Sabse Badi Taaqat _,*

↬• is Waqt Duniya mai Sabse Badi Taaqat atomiyaat ki Hai ,Jo insaan ki banayi Hui Hai , isse badi Taaqat Khuda ki banayi Hui Asmaan , Zameen,Chand ,Suraj ,Hawa aur Paani ki Hai ,

★• _ Aur isse badi Taaqat Farishto ki Hai ,isse badi insaan ki Roohani Taaqat Hai , in Sabse Badi Taaqat Jo makhlooq nahi Hai Wo Khuda ki zaat ki Taaqat Hai , Jo la mehdood aur be hisaab Hai ,

★• _ Khuda ki Taaqat ke muqable mai Duniya ki makhlooq ki taaqate makdi ke jaale ki maanind ( tarah ) Hai , Jiski Koi haisiyat nahi Hai, Roohani Taaqato Ka Kaam Khuda ki pakad aane se pehle samjhane Ka Hai ,bachane Ka nahi Hai ,

★ • _ Poori Duniya ko ye Baat samjhani Hai k Khuda ki Taaqat ko tasleem Karo aur Apne Tor Tareeqo ko theek Karo ,Khuda ki himayat haasil Karne ki soorat Sirf Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke laye hue Paak Tareeqe mai Hai ,

★. _ Agar ye Tareeqa Akhtyar nahi kiya aur aur Khuda ki himayat haasil nahi ki to Tumhe is Duniya ki taaqate Khuda ki pakad se nahi bacha sakti , Maaddi Taaqate to Kya bachati ,Roohani taaqate bhi Khuda ki pakad se nahi bacha sakegi ,

★• _ Hazrat Nooh Alaihissalam Jese Nabi ki Roohani Taaqat Apne Bete ko Khuda ki pakad se na bacha saki ,Ibrahim Alaihissalam Apne Baap ko aur Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Apne Chacha ko Aakhirat mai Khuda ki pakad se na bacha sakenge ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Maqsade Nabuwat aur Daleele Nabuwat,*

↬• Mo'ajza Maqsade Nabuwat nahi Hai Balki Daleele Nabuwat Hai ,

★• _ Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam Ka Attahiyaat mai "Ashhadu Allaailaha illallaah" per ungli Uthana ye Maqsade Nabuwat mai se Hai aur Aapka Ungli ke ishare se Chaand ke do tukde Kar Dena ye Bator Daleele Nabuwat ke Hai ,

★• _ Aur Maqsad Ka darja daleel se badh kar Hai ,Lihaza Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Ungli Ka ishara Jo Attahiyaat mai hota Tha usme Taaqat zyada Hai , Banisbat Chaand ke do tukde karne ke ,

★ • _ Lihaza Jis qadar Aapki Roohaniyat Wala Amal apnaya jayega, usme Usi qadar Allah Ta'ala Roohaniyat wali Taaqat muntaqil farmayenge ,

★. _ Dua aur Mehnat mai muwafqat zaroori Hai,Dhaayi tola ki Zubaan Nabiyo wali Dua mai masroof Hai , Kehta Hai " Ey Allah seedha Raaste per Chala " aur Bazaar mai Dhaayi man Ka Badan us Raaste per Chala Jin per Allah ka gazab nazil hua , Unke Tareeqe per harkat karta Hai " to Dua aur Mehnat mai tatabuq nahi raha ,

★• _ isliye Masjid mai Jo Dua ki Jaye Masjid ke Bahar bhi uske mutabiq Mehnat ki Jaye , Allah ke Raaste ki Mehnat Karo , Raasta door se band Nazar aata Hai,Chalna Shuru kar do ,Raasta khulta jayega, Dua aur Mehnat mai muwafqat ho jayegi aur Nek samraat murattib honge ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Qaafila Abu Sufiyaan aur Qaafila Sahaba _,*

↬• Deen Ki Jaddo Jahad karne walo ke liye Allah ki taraf se ibtla aur ghera aata Hai ,

★• _ Aadmi un Halaat mai jam Kar theek chalta Hai to Allah se talluq badhta rehta Hai ,Jesa k Badar ke moqe per Allah Ta'ala ne Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke qaafile ki Abu Sufiyaan ki khabar di aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba Kiraam ko Abu Sufiyaan ke qaafile ki khabar na hone di ,

★• _ Ye Allah Ta'ala ki Shaan hai ,Bavjood un Halaat aur ghere ke Sahaba jame rahe to Allah Ta'ala ki madad aayi aur Kaamyabi se hamkinaar hue , Bahar haal ibtla ghera aur Halaat Ka aana qabile khof nahi Hai ,

★ •_ Qur'ani Waqi'aat Qayamat Tak ke liye zaabta e Khudawandi hai'n ,isko Bator hikayaat ke na suno , Qur'an mai Bani israiyl ke Waqi'aat zyada Bayan kiye gaye hai'n , isliye k is ummat ke Saath wo hota Rahega Jo Bani israiyl ke Saath hota raha Hai ,  

★. _ Barah Bhai Jab Nabiyo ke Tareeqe per aaye to poora Mulk Misr per control kiya ,aur Zindagi ban gayi aur Jab Bani israiyl Nafarmaniyo per aaye to Kafan Chor Firoun un per musallat hua ,

★• _ Firoun ki badi Taaqat Bani israiyl ko Pareshan karne lagi to fir Moosa Alaihissalam ne Firoun ko samjhaya ,Magar. Firoun ne Khuda ki Taaqat ko tasleem nahi Kiya aur Bani israiyl ne Khuda ki Taaqat ko tasleem kiya aur Moosa Alaihissalam ke Saath chale to Allah Ta'ala ne unke liye samundar mai Barah Raaste Kar diye aur paar ho gaye aur Firoun Lashkar ke Saath garq hua ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. *Hukme ita'at aur Hukme itteba_,*

↬• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki itteba aur ita'at dono zaroori Hai, 

★• _ itteba ke ma'ani hai'n Jo Kare Wo Karo aur ita'at ke maa'ani hai'n Jo Kahe wo Karo ,Jesa k Qur'an e Paak mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki itteba aur Ita'at Ka hukm Diya gaya Hai ,

★• K Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Jo karenge wo hum karenge aur Jo humse kahenge Wo bhi hum karenge ,Lihaza Qur'an e Paak mai Jo khitaab Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko hoga Wo Khitaab poori ummat ke liye hoga , Basharte k Aapke Saath Khaas na ho ,

★ • _ Jab Aap poori Duniya ke liye tashreef laye aur Poori insaniyat ki fikr farmayi Hai to Jisne Aapka Kalma Padha Hai Wo bhi Apni Fikr aur Ghar walo ki fikr Karega ,aur Poori Duniya ke insaano ki fikr Karega ,

★._ Sahaba Kiraam barahe raast Baato ko sunne wale they Wahi isko Sabse zyada samajh sakte they , Lihaza Sahaba Hi ummat aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke darmiyan waasta aur raabta hai'n ,

""_ Jo tabqa barahe raaat Qur'an ko samjhne Ka daava karta Hai Unki ye chaal Hai k Ummat ka Raasta Sahaba se kaat Diya Jaye ,Lekin Usoole Zindgi Qayamat Tak ke liye Sahaba Ki Zindagi se hi milenge ,aur Unki itteba ke zariye hi Kaamyabi se hamkinaar honge ,   

★• _ Nuzoole Qur'an ke Waqt Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki farmayi Hui baate sirf Sahaba Raziyallahu Anhum ne Suni hai'n aur Moqa Mahal ko dekha hai ,Lihaza Sahaba se hum mustagni nahi ho skte,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─


❈…… .. *Gaib Ki Nusrat Ka Saboot Tareekh ke Har Daur mai_*

↬• Qur'an e Paak aur Ahadees har Daur ke liye qabile Amal Hai ,Chahe Duniya sarmaya daari aur Taaqat ke aitbaar se kitni hi taraqqi Kar Jaye ,

★• _ Deen per Gaibi madad Ka har Daur mai vaada Hai Chahe ye Zamana rocket aur aitom aur science taraqqi Ka hi kyu na ho , 

★• _ Aakhri Zamane mai. Qayamat se pehle Dajjal aur Jajooj Majooj ki taaqate Jo sarmayadaari aur Taaqat ke aitbaar se Aaj ke Daur se bhi badi Hui hongi , Us Daur mai bhi imaan Walo ki Mehnat aur Duao'n per Khuda ki Gaibi madad hogi ,

★ • _ Halanki imaan wale pehle bhi bekas aur bebas they aur Aaj bhi hai'n , Aakhri Zamane mai bhi bekas aur bebas honge , Jab Khuda ki Gaibi madad Shuru Zamane mai Hui aur Aakhri Zamane mai bhi hogi to darmiyani Zamana Jo hamara zamanan Hai Aaj bhi Khuda Usi Taaqat aur Aan baan Shaan ke Hai ,Deen ki Mehnat Nahaje Nabuwat per ki Jaye to Ask bhi Khuda ki Gaibi madad shamile haal ho sakti Hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Mizaaje ibaadat aur insaani Tarbiyat _,*

↬• Ibaadato Ka mizaaj hi moallime Akhlaaq Hai , Basharte k Nahaje Nabvi ko Akhtyar Kar ke uski Haqeeqat aur Kaifiyat paida ki Jaye ,

★• _ Namaz ki haalat mai insaan ke tamaam A'aza Khuda ke hukmo ki bandish aur riaayat mai istemal Hote hai'n , Namaz Ka ye mizaaj aur Kaifiyat Namaz ke alawa doosre ahkaam mai bhi paida ki Jaye ,

★• _ Zakaat Khuda ke hukm ke mutabiq Apne Maal Ka mutaiyan hissa mustahiqeen ko ada kiya Jata Hai , Zakaat Ka ye mizaaj aur Kaifiyat Ramzan ke alawa doosre Dino mai bhi paida ki jaye Taki Deen ki nisbat per Taqaazo Ka Tahammul aur Sabr karna haasil ho Jaye ,

★ • _ in ibaadaat Ka mizaaj haasil hone ke Baad Akhlaaq e Hameeda paida Hote hai'n , aur Akhlaaq Ka muzahira har Waqt aur har jagah hota Hai ,Jisse maashra Amno Amaan Wala banta hai aur Aalam mai Deen v imaan failne Ka baa'is banta Hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. *Daure Khilafat aur Darse Hayaat_,*

↬• Khulfa e Rashideen Ke Daure Hayaat mai hamare liye zaraye usool hai'n ,

★• _ Fitno Ka sailaab ho ya Maal v Daulat ki farawani aur Futuhaat Ka Daur daura ho ya Bad Amni aur Khof Ka Mahol ho ya ikhtilaf v intishaar ho ,Har haal mai Khulfa e Rashideen ke Tareeqo mai Nijaat v Kaamyabi ki zaraye usool milenge ,

★• _ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka farmaan Hai k Ey Musalmano ! Mere Tareeqe ko aur Khulfa e Rashideen ke Tareeqo ko mazbooti se pakad lo , 

★ • _ Daure Siddiq se Rehnumayi milti Hai k Charo jaanib se fitne runuma ho aur Deen Khatre mai ho to Deeni Jaddo Jahad ( Dawat ki Mehnat) karne wale  Apni qurbaniyo Ka Maiyaar A'ala aur Buland Kar ke Apne qadam aage badhaye ,Baari Ta'ala in mukhliseen ki A'ala qurbaniyo ke natije mai Fitno ko door Kar dega aur Deen ko chamkayega ,

★. _ Daure Farooqi se maloom hota Hai k Mukhliseen aur Muttaba'een ki qurbaniyo ke natije mai Ummate Mislima Duniyavi Jaah v Hashmat aur Sarwat v Daulat aur izzat v azmat se hamkinaar ho to us Waqt saadgi mai Koi Farq na aane paye aur Qur'an v Hadees ke taqazo ke mutabiq Maal kharch Kiya Jaye , in Halaat mai Daure Farooqi hamare liye Rehnuma aur Minaara e Hidayat Hai ,

★• _ Daure Usmani ne bataya k Mukhliseen aur Muttaba'een ko musibato Ka saamna ho aur agraaz wale in me dakhil ho Kar bad amni Ka muzahira Kare to us Waqt Tahammul aur Sabr se Kaam liya Jaye ,Lekin Allah Ta'ala aur uske Rasool ke hukm ko na chhoda Jaye ,

"__ Daure Alvii se Rehbari milti Hai k agar Agraaz wale ikhlaas walo mai ral mil kar Jung kara de to ese moqe per Hazrat Ali Raziyallahu Anhu wale usool ki Roshni mai tarfeen ke ikeaam v Ahatraam aur Aapas ki Muhabbat mai kisi qism Ka Farq na aane diya Jaye ,
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Zaahiri Asbaab ,Insaani Tajurba aur Khuda Ka Vaada,*

↬• Zaahiri Asbaab se Zindgi Ka banna insaani Tajurba Hai ,Khuda Ka Vaada nahi Hai ,

★• _ Zaahiri Asbaab Ka insaan mukallif hai lekin Zaahiri Asbaab Khuda ke ahkaam ki ri'ayat karte hue Akhtyar kiye Jaye ,Taki Gaibi Asbaab khilaf na ho Jaye,

★• _ Hazrat Yusuf Alaihissalam ke Bhaiyo'n Ka Baap ki Muhabbat haasil karne ke liye Tadbeer karne mai Koi harj nahi Tha Lekin Tadbeer ki wo Shari'at ke khilaf thi, Tadbeer chali Lekin Shari'at ke khilaf hone ki vajah se Gaibi Asbaab khilaf ho Kar Asmaani faisla inke khilaf hua ,

★ • _ Azeeze Misr ne bhi Tadbeer ki Apni aur Mulk ki izzat bachane ke liye,Wo ye k Yusuf Alaihissalam ko Jail mai daala , Tadbeer chali, izzat Bach gayi Lekin Shari'at ke khilaf thi to Asmaani faisla Khilaf hua aur Anjaam bura aaya ,Wo ye k Yusuf Alaihissalam ke Bhai Filisteen mai they aur Azeeze Misr Misr mai Tha aur Asmaani faisla dono ke khilaf ho Kar Saat saal Ka qahat Misr aur Filisteen per musallat hua aur Asmaani faisla Yusuf Alaihissalam ke Haq mai Baa'ise azmat Saabit hua ,

★. _ Neez Zaahiri Asbaab se kabhi Zindagi banti Hai ,Kabhi bigadti Hai , Qaroon ke paas Zaahiri Asbaab ke bavjood Zameen fati ,Wo Zameen mai dhansa , Allah ki Laanat barsi aur nakaam hua , Aur Ismaiyl Alaihissalam ke paas Zaahiri Asbaab na hone ke bavjood Zameen fati ,Zamzam Ka Pani nikal aaya , Allah ki Rahmat barsi aur kaamyab hue ,

          ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Kehte hai'n k Daayi Ka Ho Andaz e Baya'n Aur,*

↬• Daayi ki awaaz Ahle Duniya se niraali honi chahiye ,Poore Aalam ki awaaz ye hai k Mulko Maal ,Sona Chaandi,Dukaan ,Khait , Digree,Mulazmat , isse ye hoga ,Wo hoga ,

★• Iske bar khilaf Daayi ki awaaz ye ho k inse kuchh nahi hota , Karta dharta Khuda ki zaat hai , Kaamyabi aur Nakaami ,izzat v Zillat Sab Allah Ta'ala ke qabza e qudrat mai Hai ,

★• _ Jese Fire Brigade ki awaaz niraali hoti Hai , Uski awaaz se Sab Raaste Khaali Kar dete hai'n, isi tarah Daayi ki awaaz niraali ho to ba tadreej Log uski awaaz se manoos ho kar Dawat ko tasleem karenge ,aur mutma'in honge aur Wo khud Daayi ban jayenge ,

★ • _ Ibtedayi islam mai Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki awaaz logo ke liye gair manoos thi Lekin Tadreeji Tor per yahi awaaz Sabse Zyada manoos ban gayi aur yahi log Deeni Dawat ke Avvaleen ilm bardaar Saabit hue ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Allah Ka Maamla Insaan Ke Yaqeen Ke Aitbaar se,*

↬• Allah Ta'ala Ka maamla insaan ke Saath uske Yaqeen Ke Aitbaar se hota Hai, Agar Yaqeen Galat bana hua hai to Waqte mu'aeen ke liye isi Yaqeen Ke Aitbaar se Maamla hoga ,

★• _ Lekin iske muqable mai Sahi Yaqeen wale aa jayenge to Galat Yaqeen walo ke tajurbaat aur mushahdaat ke khilaf Khuda Kar ke batayega ,

★• _ Nabiyo ki poori Tareekh Shahid hai k Namrood ki khoob chalti thi, Hazrat Ibrahim Alaihissalam Sahi Le Kar tashreef laye ,Namrood Ka Masla theek ho gaya ,

★ •_ Firoun ki khoob chalti thi, Moosa Alaihissalam Sahi Yaqeen le kar tashreef laye to Firoun garqe aab hua , Qaisaro Kisra ki Sainkdo saal se chalti thi ,Sahaba Kiraam Sahi Ke Saath khade ho gaye ,to Qaisaro Kisra Unke saamne dher ho gaye ,

★. _ Sahi Yaqeen walo Ka muqabla Duniya nahi Kar sakti Hai , Chunki Sahi Yaqeen walo ke Saath Khuda ki Gaibi Nusrat aur Taa'iyd hoti Hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Yaqeen banane Ke Chaar Darjaat,*

↬• A'amaal mai jab tak Haqeeqat paida na ho to wo qabile qubool aur qabile taseer nahi Hote ,

★•_ Har Amal Ka ek lafz Hai ,Doosri Soorat aur Teesri Haqeeqat Hai , Lihaza Namaz ,Roza ,Hajj vagera mai Sirf Alfaz aur Soorat se isme taseer paida na hogi ,balki haqeeqi Namaz banani padegi ,iske baad taseer zaahir hoti Hai, 

★• _ Har Amal ko qabile qubool aur qabile taseer banane Ke Liye Paanch baate hai'n ,
1- Yaqeen ( imaan ) Ka Sahi hona ,
2- Jazba ( Ahatsaab ) Ka Sahi hona Yani Shoq se Karna ,
3- Tareeqe ( ilm ) Ka Sahi hona ,
4- Dhyaan ( Ahsaan ) Ka Sahi hona ,
5- Niyat ( ikhlaas ) Ka Sahi hona ,

★ • _ iske baad har Amal Haqeeqi qabile qubool aur qabile taseer banega , aur ese Amal per Khuda ki Gaibi madad Shamile haal hogi ,

                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Aqal Ke istemal mai insaano Ki Teen Qisme'n,*

↬• Aqal ke istemal mai Teen Qisme'n hai'n ,

★• _Ek Qism insaan ki wo Hai Jo Aqal se Kaam hi nahi leti , Apne Haath se But ( Moorti ) ko tarasha aur uski ibaadat karne lage , Ye log gumraah hai'n,

★• _ Doosri Qism wo hai Jo Aqal mai aaye usko tasleem karte hai'n aur Jo Aqal mai na aaye uska inkaar karte hai'n , Ye Dahriya aur Naastik hai'n ,Ye bhi gumraah hai'n ,

★ • _ Teesri qaism wo Hai Jo Aqal mai aaye usko tasleem karte hai'n aur Jo Maavra e Aqal baate hai'n usme Wahi E Khudawandi Yani Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Ke Tareeqe Ka Sahara lete hai'n , Yahi log Siraate Mustaqeem per hai'n ,

★. _ Baaz baate Khilafe Aqal nahi hoti hai'n , Maavra e Aqal hoti Hai, Chunki Aqal ki ek had hai ,isliye aage wo Kaam nahi karti hai , isliye Nabi Alaihissalam ( Ki Taleem ) Ka Sahara Lena padta Hai, Jiska Talluq Wahi e Khudawandi ( Allah Ta'ala ki tarah se Apne Nabiyo'n Ko Jo ilm Diya Jata Hai ) se Hai ,
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Ba-Roze Qayamat Allah Ta'ala Ka Maamla Fazal Ka hoga Ya Adal Ka _,*

↬• Qayamat ke din Khuda Ka Maamla Fazal Ka hoga ya Adal Ka , Raabte Ka hoga ya Zaabte Ka , Meharbani Ka hoga ya qanoon Ka ,

★• _ Agar Musalmano ke Saath Adal Ka Maamla hua to Gunaaho ke ba-qadar Jahannam mai rakha jayega ,Taki Gunaaho se Paak Saaf Kar diye Jaye ,

★ • _Aur agar Fazal Ka Maamla hua to Sidha Jannat mai bhej diya jayega , 

★. _ Adal Ka taqaza Hai k Khofe Khuda Akhtyar Kar ke Gunaaho se ijtinaab Kiya Jaye , aur Fazal Ka taqaza Hai k Nekiyo'n ko zyada kiya Jaye ,

★• _ Adal Ka haasil khof Hai aur Fazal Ka haasil Ummeed Hai , Khof is qadar bhi mufeed nahi Hai Jo halaakat Ka baa'is bane aur Ummeed bhi is qadar mufeed nahi Hai k Gunaaho per jari Kar de ,

"__ Balki Ummeed aur Khof ke darmiyan Ka naam imaan Hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Raaz Ki Baat Alal Elaan Aalam ke Saamne,*

↬• Koi Aadmi Raaz v Daav ki Baat nahi batata Hai balki chhupata hai ,

★• _ Hum Alal Elaan aur Danke ki chot poore Aalam mai basne wale insaano ko batate hai'n k agar logo mai do baate paida ho Jaye to Zameen v Asmaan Ka Khaaliq farmata Hai k hum Tumhe barbaad nahi karenge balki abaad karenge ,

★• _ Ek Allah ke saamne khada hone Ka Khof Dil mai paida ho Jaye , Doosre Bure A'amaal per Allah ki Wa'iedo Ka Dar paida ho Jaye ,

★ • _ Insaano mai Akhirat Ka Fikr aur Khof paida karne ke liye Poore Aalam mai naqal harkat Kar ke iska khoob tazkira Kiya Jaye , 

★. _ Yaha'n Tak k logo mai Fikr e Akhirat paida ho Jaye aur barbaadi wali Raah se Bach Kar Abaad karne wali Raah per gaamzan ho Jaye ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Duniya ki Hukumato Ke Paas Aman aur Raahat Ka Tareeqa nahi Hai,*

↬• Aalam mai Amano Amaan qaa'im Rakhne  ke liye is Daur ki Adalate ,Kachehriya'n aur Mukhtalif Mahkame ,sceame aur intezamaat nakaam aur fail hai'n,

★• _ Poore Ki Hukumate gair maiyaari aur Tashveeshnaak soorate haal mai mubtila hai'n , Chunki inke paas Aman v Raahat Ka Tareeqa nahi Hai ,Jiski vajah se kisi ki Jaan ,izzat aur Maal mehfooz nahi Hai,

★• _ Lekin Ummate Muslima ko mayoos hone ki zarurat nahi Hai, Hamare Sarkaar Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ne isse zyada mayoos Kun Halaat mai Apna Pakiza tareeqa Duniya ke saamne pesh Kiya aur Aalam ki Hukumate is Pakiza Tareeqe ko Apna Kar Amno Amaan se hamkinaar Hui ,

★ • _ Aaj bhi Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Ka laya hua Pakiza Tareeqa apnane ki aur usko Dawat ke zariye Aam karne ki zarurat hai ,Aaj bhi poora Aalam Amno Amaan se hamkinaar ho Sakta Hai aur Abdi Raahato se faizaab ho Sakta Hai , 

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Haqeeqat Nigaaho se Ojhal Hai ,*

↬• insaan ko dikhayi deta Hai k Aankh dekh rahi Hai aur Kaan sun rahe hai'n aur Zubaan bol rahi Hai ,

★• _ Halanki ye Haqeeqat nahi Hai ,aur Jo Haqeeqat Hai Wo dikhayi nahi deti Hai aur Wo insaan mai na dikhayi dene wali asli Taaqat Rooh ki Hai ,Rooh Ke Bager Kaan Hai Magar sunta nahi Hai,Aankh Hai Magar dekhti nahi Hai, Zubaan Hai Magar bolti nahi Hai,

★• _ Maloom hua Jaha'n se Mehsoos ho raha Hai Wo Haqeeqat nahi Hai, isi tarah Kaaynaat ki cheezo se banna bigadna insaan ko dikhayi deta Hai,Halaki ye Haqeeqat nahi Hai,Khuda ki qudrat se cheezo ke Parde mai Kaam bante aur bigadte hai'n ,Magar ye Haqeeqat aur Asli Taaqat dikhayi nahi deti Hai ,

★ • _ isliye logo ne Kaaynaat ki cheezo hi ko Haqeeqat samajh liya ,Makdi Ka jaala Zindagi ki hifazat nahi Kar Sakta aur Langda Machchhar Zindagi ujaad nahi Sakta Hai , Magar Khuda Chahe to Makdi se jaala banwa Kar Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki hifazat Kar de aur Langde Machchhar ke zariye Namrood ki Zindagi ujaad de ,

★. _ Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki aag mai aur Yunus Alaihissalam ki machhli ke pet mai aur Ismaiyl Alaihissalam ki chhuri ke niche hifazat Kar de aur Firoun,Qaroon ,Namrood ,Qaume Aad ,Qaume Samood aur Qaisaro Kisra ko Mulko Maal aur Hifazati naqsho mai ujaad de ,

★• _ Maloom hua k Zindagi ke bigadne aur banne Ka Maiyaar Kaaynaat ki cheeze nahi Hai balki iska Talluq Allah ki zaat se Hai , Ambiya Alaihissalam har Daur mai aa Kar Ghar Ghar aur Dar dar ja Kar ye haqeeqi baat Duniya ke insaano ko samjhate they k Allah ki Taaqat Ka Yaqeen Karo aur uske hukm ki pabandi Karo to Khuda ki himayat aur Nusrat Tumhare Saath ho jayegi , Duniya mai bhi ,Qabr mai bhi aur Hashr mai bhi ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Jahannam Ahle Imaan Ke Liye Hospital aur Shafakhana,*

↬• Ahle imaan Ka Asli thikana Jannat Hai aur Unke liye Jahannam Hospital aur Shafakhana Hai ,

★• _ Chunki Jannat Paak jagah Hai aur uske makanaat Paak hai'n , aur Jannat ki Aurte'n bhi Paak hai'n ,aur Jannat ki sharaab bhi Paak Hai ,Jab imaan Wala Jahannam mai gandgiyo'n aur Gunaaho se Paak ho jayega tab Jannat mai dakhil hoga ,

★• _ Lekin Jahannam Ka ilaaj Bahut bhaari Hai , isliye is Duniya mai Allah Ta'ala ne Paak Saaf karne ke liye bator ilaaj Teen cheeze batlayi hai'n _
1-- Nekiyo'n Ka karna - ye gunaaho ko zaa'il karti Hai ,

2-- Gair Akhtyari Tor per Bimariyo'n aur Takleefo per Sabr karna- isse gunaah zaa'il Hote hai'n ,

3-- Tauba-- is se Kabeera gunaah bhi maaf ho Jate hai'n , 

★ • _ Jahannam mai Kufr v Shirk Ka gunaah la ilaaj Bimari Hai , Duniya mai Assi saal ka mushrik Budha bhi Tauba Karega to maafi mil sakti Hai, Sachchi Tauba ke liye Chaar cheeze zaruri hai--
1-- Gunaaho per nadamat,

2-- Aa'inda gunaah na karne Ka Azm iraada,

3-- Guzishta Gunaaho ki talaafi ,

4-- Tauba ke Waqt Gunaaho mai mubtila na hona ,

★. _ Duniya mai in khoobiyo ko haasil karne ke liye Mahol Shart Hai aur Mahol Dawate Deen Ke Amal se zinda hoga ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Soodi Nizaam aur Islami Nizaam,*

↬• Magribi Mumalik Ka Soodi Nizaam Zulm per mubni aur Islami Nizaam hamdardi per mubni Hai ,

★•_ Uropian Mumalik nit nayi cheezo ki ijaad Kar ke Mukhtalif Sceamo aur tanzimo ke zariye logo ko aysho ishrat aur fashion parasti aur fizuliyaat mai mubtila rakhte hai'n , 

★• _ Aur Unki ye izaad poori Duniya mai Supply ho Kar logo ke liye zaruriyaat se tajavuz aur fizuliyaat mai ibtila Ka baa'is banti Hai , 

★ • _ Chunki inka Nizaam hamdardi ke bajaye zulm per mubni Hai,iske bar khilaf islam sood aur fizuliyaat se bachane Ka aur Zaruriyaat per iktfa Kar ke Saadgi akhtyar karne Ka sabaq sikhata Hai aur Apni Zaruriyaat se zyada maal ko gareeb mustahiqeen per kharch karne Ka hukm karta Hai,

★. _ Goya gareeb ke liye isaar v qurbani ki taleem Hai aur Maaldaar per gurba per kharch karne ki taleem Hai,Jo hamdardi aur Muhabbat Ka baa'is Hai aur Yahi islami Nizaam Ka taqaza Hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Islam Ke Dushmano Ki Mandiya'n,*

↬• Islami Dushmano ne nit nayi design wali cheezo ki ijaad Kar ke Faishion parasti Ka darwaza khol diya Hai aur har qaleel waqfa se wo cheeze Out Of fashion qaraar de Kar nayi design ke Saath cheezo ki ijaad karte rehte Hai'n ,

★• _ Jisse Unki Mandiya'n aur Bazaar ronaq pazeer hai'n aur log fashion parasti Ka shikaar ho Kar fizuliyaat mai mubtila Hote rehte Hai'n,Lihaza Pareshaniya talne ke bajaye badhti rehti hai, iska waahid ilaaj ye Hai k fizuliyaat ko tark Karo aur Zaruriyaat per iktfa Karo aur Saadgi akhtyar Karo ,

★• _ Maaldaar Apne Maal ka Chaleesva hissa gareeb ko talash Kar ke pahunchaye aur fizuliyaat se Bach Kar Saadgi ke dayre mai Apni Zaruriyaat ko poora kar ke baqiya Maal ko bhi mustahiqeen per kharch kare ,

★ • _Aur gareebo per kharch karne Ka Tareeqa andhadhund akhtyar na Kiya Jaye ,Varna ma'asiyato mai mubtila hone Ka khatra hai ,isliye soch samajh Kar is Tor per kharch kare k wo gareeb Marhune minnat ban Kar Saa'il na ban Jaye aur na ahsaas kamtari mai mubtila ho ,

★. _ Balki gareeb ke liye ye Maal Deen v Duniya ki Zaruriyaat ki takmeel Ka zariya bane aur Wo khud kafeel banta Chala Jaye ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Insaano Ke Jod Ka Samaan,*

↬• Tamaam insaano mai Jod paida karne ke liye Roohaniyat Wala tareeqa apnana zaruri hai,

★• _ insaani Badan Kaaynaat ki cheezo se bana Hai , isliye Badan ki Giza Kaaynaat ki cheeze hai'n aur Rooh Allah ka ek Amr Hai ,iski Giza awamire Khudawandi Hai ,

★• _ Jis tarah Rooh ne A'aza e Badan ko jod rakha hai isi tarah awamire Khudawandi ki Baja Aawri Roohaniyat paida karegi aur yahi Roohaniyat tamaam insaano mai Jod Ka baa'is banegi ,

★ • _ Jis tarah Duniya mai har Cheez ke jod Ka tareeqa Mukhtalif Hai ,Lakdi ko Lakdi se jodne ke liye keel ki zarurat Hai , Kaagaz ko Kaagaz se jodne ke liye goond ki zarurat hai ,Lohe ko lohe se jodne ke liye Velding aur Eint Ka Eint se jodne ke liye Cement aur Kapde ko Kapde se jodne ke liye Sooi Dhaage ki zarurat Hai , 

★._ isi tarah insaano mai Aapas mai jod paida karne ke liye Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Ka laya hua Roohaniyat Wala Pakiza Tareeqa apnane ki zarurat Hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Deen Ka Darakht Tadreejan Falega Fulega,*

↬• Har Kaam Tadriji Tareeqe se hota Hai,Deen bhi Tadriji Tareeqe ki Mehnat see haasil hoga,

★• _ Agar Deen Ka Darakht taiyaar karna Hai to Pehle Dawat Ki Zameen hamwaar Karo ,

__Imaniyaat ki Jad lagaao , 

__Taleem ke Halqo Ka Pani do , 

__Aur Qurbani ki Khaad do ,

__Aur Gunaaho se bachne ki Baad lagaao ,

★• _ Aur Zikr v Tilawat aur Rona Dhona ,Bilbilana Tilmilana ,Garam Garam Aansuo'n Ka bahana ,Thandi Aanho Ka bharna iski Fiza ho,

__ Aur Arkaane islam Ka Tana ho 

__Aur Mashrat v Mamlaat ko adlo insaaf ke Saath chalne Ka darakht ho 

__Aur uske ouper Akhlaaq ke Phal ho 

__Aur Akhlaaq ke Phalo mai ikhlaas Ka Ras ho ,

"__"Tab Deen Ka Darakht taiyaar hoga aur Log istefada karenge ,
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Hamari Nazar Aur Nabi Ki Khabar mai Farq _,*

↬• Har insaan Ke Badan mai Namak ,Choona ,Loha ,Shakar ye Chaaro cheeze mojood hai'n,

★• _ In cheezo ko insaani Badan ke Mahireen Yani Doctoro ke Kehne se hum tasleem karte hai'n ,

★• _ Halanki ( Ye Chaaro Cheeze) Dikhayi nahi deti hai'n aur na Zaahir mai dikha sakte hai'n, 

★ • _ isi tarah Roohani Line ke Maahir Tabeeb ( Doctor) Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ne Hume Qabr ke azaab ki khabar di Hai ,

★. _ Hamari Nazar Galat ho sakti Hai magar Nabi ki khabar Galat nahi sakti ,

★• _ Jis tarah Jism mai Namak ,Choona ,Loha ,Shakar dikhayi nahi deta ,isi tarah Qabr ki aag aur Saanp aur Jannat ke baag is Duniya mai rehte hue nahi dekh sakte hai'n ,Jo Aadmi Mar Jata Hai usko dikhayi deta Hai ,

*Jesi Karni Wesi Bharni ,Na maane To Kar ke Dekh,*
*Jannat Bhi Hai Dozakh bhi Hai ,Na maane To Mar ke Dekh*

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Insaano Ke Banne Bigadne Ka Talluq Andar Ki Maaya Se Hai,*

↬• Insaano Ke Banne Bigadne Ka Talluq Andar Ki Maaya Se Hai, Agar Andar ki Maaya ban gayi to iski Dono Zindgiya'n Allah Ta'ala bana denge ,

★• _ Andar Ki Maaya banane ke liye Paanch Baato Ki Mehnat Hai ,
1__ imaaniyaat ,
2__ Ibadaat ,
3__ Akhlaaqiyaat ,
4__ Ma'ashrat ,
5__ Maamlaat ,

★• _ Jab Mehnat aur Fikr nahi hoti Hai to andar ki Maaya bigad jati hai,Bigadne ke liye Kuchh Karna dharna nahi Padta ,

★ • _ Jab Log Maqsad e Hayaat se gaafil ho Kar Haywaano ki tarah Zindgi basar karte hai'n to Khuda Ta'ala unse naraaz ho kar Haywaano Jesa Maamla farmate hai'n,

★. _ Aur un per Zalzale , Hawao'n Ka toofan aur Paani Ka Sailaab laate hai'n ,Jo laakho insaano ki halakat Ka baa'is bante Hai'n,

★• _ Allah Ta'ala ki Nazar mai ese insaano ki Koi ahmiyat nahi hoti Hai ,Jis tarah Toofan mai Halaak hone wale Jaanwaro ke bare mai Akhbaar mai ye nahi aata k Parindo ke itne Ghonsle toote ,aur itne ande toote ,aur itni chidiya'n Mar gayi ,

"_isi tarah Haywaano ke maanind Zindgi basar karne wale insaano Ka halaakat ke Baad Koi pursane haal nahi hota ,
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Imaan Ki Mehnat Per Gaibi Darwaze Khule _,*

↬• Tees saala Nabvi Daur , Dhaayi Saala Siddiqui Daur ke mujahidaat per Baari Ta'ala ne Teen qism ke Gaibi Asraat Murattib farmaye-

★• 1- Zarurato Ka poora Karna Yani Qaisaro Kisra ke khazane Sahaba ke qadmo mai aaye ,Agar Sahaba Saat So Saal Tak kamate to itna na milta ,Allah ne isse zyada inaayat kiya ,

★• _ 2- Pareshaniyo ke door karne mai Khuda Ka Gaibi Nizaam Chala , Murtadeen ke fitne Ka dab Jana , Maan'aeene Zakaat ( zakkat Ka inkaar karne wale ) Ka Mutayeen mai dakhil hona ,aur Qaisaro Kisra ki shikast ke Baad Poore Aalam per Musalmano ke ro'ab Ka qaa'im hona ,

★ •'3- Aalam ke Charo jaanib Deene islam Ka failna , 

★. Is Zamane mai bhi Jo log imaan v A'amaal zinda karne ki Mehnat v Mujahida Nahaje Nabvi ke mutabiq akhtyar farmayenge to fir Unke liye Wahi Teeno Gaibi madad ke darwaze khulenge ,


            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Kaamyabi aur Nakaami Ka Maiyaar Kya Hai ?*

↬• Gazwa e Badar Laa ilaaha illallaah Ka mazhar Hai aur Gazwa e Uhad Muhammadur Rasoolullaah Ka mazhar Hai,

★• _ Isme Aapki azmat v raf'at aur Aapke Awamir ki ahmiyat batlayi gayi Hai Wo ye k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki nafarmani Pareshaniyo Ka baa'is banti Hai, 

★• _ Badar aur Uhad ke do hi waqiye Hote to Qayamat Tak ye samjha Jata k maidaan Ka haath mai aana Kaamyabi aur maidaan Ka haath se nikal Jana Nakaami ki daleel Hai ,

★ • _ Lekin Waqi'a Hudebiya se Rehnumayi milti Hai k Kaamyabi aur Nakaami Ka maiyaar maidaan Ka haath mai aana na aana nahi Hai balki Maiyaar har haal mai Allah ke hukm ko poora Karna Hai ,Agar Allah ka hukm poora Kar ke maidaan haath se nikal gaya to ( bhi ) Kaamyabi Hai aur Allah ka hukm tod kar maidaan haath mai aaya tab bhi Nakaami Hai ,

★._ Aur Waqi'a Hunen mai imaan v yaqeen Ka sabaq milta Hai k Baaz martaba Allah Ta'ala Saari Shakle Doosro ko de Kar  Aazma'ish karte hai'n , Waqi'a Badar mai ye Aazma'ish thi iske bar khilaf Hunen mai wo Saari Shakle Jo Doosro ke paas thi Jiski Qur'an mai nishandahi farmayi gayi Hai, isme andar Ka marz bataya gaya Hai yani azab paida ho gaya Tha Lihaza Sahaba Raziyallahu Anhum ko mutanabbah kiya gaya k agar Shakle Tumhare paas aa gayi hai'n iske bavjood Khuda hi ki madad se Kaamyabi hogi ,

★• _ Waqi'a Hunen mai imaan v yaqeen Ka sabaq padhaya gaya Hai Alhaasil Allah Ta'ala kabhi le kar aazmaate hai'n aur kabhi de Kar aazmaate hai'n ,

                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Charindo Parindo Ka Kamaal Har Shoba e Hayaat Mai ,*

↬• Sirf Makaan bana Lena insaan Ka Kamaal nahi Kyunki Kabutar bhi Apna ghosla bana Leta Hai ,

★• Aur Tahkhana bana Lena ye bhi insaan Ka Kamaal nahi Hai ,Chooha bhi Tahkhane mai Apna Makaan bana Leta Hai ,Bijli ki Fitting insaan Ka Kamaal nahi Hai Kyunki Baya Parinda bhi Apne ghosle mai ( Jugnu ) chamakdaar keede ko fit kar ke Roshni Ka Kaam le leta Hai ,

★• _ Engineering bhi insaan Ka Kamaal nahi Hai isliye k Chidiya bhi Apna ghosla banate Waqt har Tinka Check Kar ke theek andaz se Tarteeb deta Hai ,aur Galat Tinke ko tukde Kar ke faink deta Hai ,Doctori Kar Lena bhi insaan Ka Kamaal nahi Hai Kyunki Bandar Zehar milayi hui Motiyo'n ko tiryaaq wali ghaans ke Saath kha Leta Hai aur Apna bachaav Kar leta Hai ,

★ • _ Hukumat kar Lena insaan Ka Kamaal nahi Hai , Shahad ki Makhkhiya'n Apne Haakim ke maathat Apna chhatta munazzam Tareeqe se banati hai , Door door Ja kar Mukhtalif Phalo Phoolo Ka Ras laati Hai aur Galat qism Ka Ras lane wali Makhkhi Ka Haakim ke hukm se jallaad do tukde Kar deta Hai ,Raies Makhkhi Poore Chhatte ki nigrani karti Hai aur rehbari bhi ,

★. _ Election ladna bhi insaan Ka Kamaal nahi Hai Chunki isme bada banne ki koshish hoti Hai ,isi tarah ki koshish do murgo ke darmiyan badaai ke liye hoti Hai,Dono ki ladaai mai ek murga faateh banta Hai aur Doosra maftooh ,Faateh banne wale murge Ka Kaam Hai Fatehna Awaaz buland Karna ,Gardan ounchi Karna ,Paro ko Fadfadana aur Akad Kar chalna aur ye Samajhna k is Ghar Ka bada Mai'n hu'n ,Jis tarah insaan Hukumat Aksariyat aur Taaqat ke bal boote per Apne ko bada tasavvur karta Hai, 

★• _ Bahar haal ye cheeze insaani Kamalaat mai se nahi hai'n, Kamaal jab hai k insaan mazkoora Zaruriyaat ke Baad Apni Jaan aur Maal ke zariye Apni ibadaat ko qavi bana Kar Apne mai Akhlaaq paida Kar ke Khuda Ka khlaifa bane , Sirf Khud Khaa Lena Pi Lena aur Makaan bana Lena aur Apni zarurat poori Kar Lena ye sifaate Haiwaniyat Hai ,aur Doosro ko khilana pilana aur Unki Zaruriyaat mai Kaam aana aur Pareshan haalo ki pareshani door karna ye sifaate Khilafat Hai ,

"__ Aur Khalifa e Khuda Doosro ko khila Kar Khuda ki Sifte Razzaqiyat Ka mazhar banta Hai ,Doosro per Raham v karam kar ke Sifte Raheemi aur Kareemi Ka mazhar banta Hai, Doosro ki ayb poshi kar ke Sifte Sattaari Ka mazhar banta Hai, in sifaat ke bager insaan ba Kamaal nahi ban Sakta aur in sifaat ko haasil karne ke liye niyabate Ambiya Wala Amal Dawat e Deen ko apnana zaruri hai, maqami Tor per Dawat Ka Amal ye Nabiyo'n ki niyabat Hai aur Poore Aalam mai Dawat Ka Amal ye niyabate Sayyadul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam Hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _ *Unki Sakhti Bhi Nibh Jati Hai_,*

↬• Hazrat Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu farmaya karte they k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam aur Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu in dono bado mai be had Narmi thi ,_ isliye har ek ke Zamane mai unke hisse ki sakhti mujhe baratni padti thi ,

★• _ Jab Dono bade Duniya se rukhsat ho gaye to in dono ke hisse ki Narmi bhi mujhe baratni Hai aur sakhti bhi mujhe baratni Hai,

★ • _ Baaz martaba Makkhan se zyada naram ban Jate ,us Waqt farmate Shayad Sakhti ke bajaye Narmi saadir ho gayi ,aur kabhi Sakhti ho jati to farmate Shayad Narmi ke bajaye Sakhti saadir ho gayi, Har haal mai Khof e Khuda se Khoob Roya karte ,

★. _ Neez Ameerul Momineen ki haisiyat se har ek ke maamle mai tafaqud farmate to usme kabhi tajassus bhi ho jata Tha , Magar iski talafi kar liya karte they, 

★• _ Chunki Aapka Taqwa A'ala darje Ka Tha isliye Aapki Sakhti Bhi Nibh Jati Thi, Lihaza Aap ke taqwe ki Naqal akhtyar ki Jaye na k Sakhti ki ,
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Amr bil Ma'aroof aur Nahi Anil Munkir Ka Behtreen Tareeqa,*

↬• Amr bil Ma'aroof aur Nahi Anil Munkir Ka Behtreen Tareeqa Akhlaaq aur Muhabbat ke Saath mel jol rakhna Hai ,

★• _ Akhlaaq Ka be inteha dabaav aur Asar hota Hai, ibtida islam mai jab tak aapas mai inteshar aur Jhagda Tha Suleh Hudebiya Tak 19 Saal mai Faqat 1500 Musalman hue ,

★•_ iske baad ( Suleh Hudebiya se ) Fateh Makka Tak 2 saal mai 10 Hazaar ho gaye , iske baad ek hi saal mai Gazwa e Tabook ke moqe per 30 Hazaar ki Tadaad ho gayi aur iske ek saal ke Baad Hajjatul Vida mai Sava Laakh Ka majma ho gaya ,  

★ • _ Iska Raaz yahi Hai k Muhabbat aur Akhlaaq ke Saath Mel Jol Tha , Lekin Shart Hai k haqeeqi Akhlaaq ho , Khushamad na ho , Varna log sar Chad jayenge aur Faayda ki bajaye nuqsaan hoga ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─


❈…… .. _*Insaan Ki Teen badi Kamzoriya'n,*

↬• Agar insaan Apna research Kare to uska zof maloom ho kar Ruju illallaah naseeb ho Sakta Hai ,

★• _ insaan mai teen badi Kamzoriya'n hai'n , Avval ye k usko Jagah poori dikhayi nahi deti,dooari ye k Zamana aur Waqt poora dikhayi nahi deta,

★• _ Zamana maazi haath se nikal gaya aur mustaqbil haath mai nahi Hai aur Mojooda Jo dikhayi de raha hai har aan guzar raha hai aur maazi ban Kar haath se nikal Jata hai ,

★ • _ Aur Teesri Cheez bilkulliya dikhayi deti nahi hai aur Wo Rooh Hai , iske bar khilaf Khaaliq dekhne ke aitbaar se kaamil hai ,Jisse Kaaynaat Ka Koi zarra makhfi nahi Hai aur Teeno Zamane Ka poora ilm usko haasil hai aur Rooh uska Amr hai Jo uske qabza e qudrat mai Hai, Lihaza Khuda Ta'ala ki zaat qaadire mutlaq hai,

★. _ Agar insaan Apna zoaf aur Khuda ki qudrat ki ma'arfat haasil Kar le to ruju illallaah ke Siva charagaar na rahe ,

                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Har insaan Ke Liye Chaar Manzile'n,*

↬• Har insaan ko Chaar Manzilo se guzarna hai,

★• _ Pehli Manzil Maa'n Ka pet Hai ,Ye uski zaat banne ki jagah Hai ,Jisme uske liye koi akhtyar nahi Hai ,

★• _ Doosri Manzil Duniya Ka pet Hai,Ye Sifaat banane ki jagah Hai , Yaha'n is qadar akhtyar diya Jata hai k Nek aur Shar mai imtiyaz Kar ke Nekiyo'n ko akhtyar Kar le ,

★ •_ Teesri Manzil Qabr Hai aur Chothi Manzil Qayamat Ka din Hai , us Din awwaleen aur Aakhireen Ka Sabse bada Ijtima hoga , Har ek ke Saath Apne sifaat ke aitbaar se Maamla hoga ,is Ijtima se nafarmano ki jama'ate ban ban Kar Jahannam ki taraf jayegi ,aur Farmabardaro ki jama'ate ban ban Kar Jannat ki taraf jayegi , 

★. _ Aa'inda Manzilo mai sifaat ke aitbaar se pesh aane wali baate maawra e Aqal Hai ,Khilafe Aqal nahi Hai , Jis tarah is Duniya mai 200 saal pehle Bahut si baate maawra e Aqal thi ,Aaj Wo Aqal mai aa gayi , 

★• _ isi tarah Maut ke baad ki maawra e Aqal baate Maut ke waqt Aqal mai aa jayegi , ye baate Ambiya Alaihissalam ne Khaaliq v Maalik aur Hakeem v Aleem ki Wahi ke zariye batlayi Hai Jo Anmit aur Atal Hai ,


            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Duniya Ki Haqeeqat Machchhar Ke Par Ke Barabar Bhi Nahi,*

↬• Jab A'amaal aur cheezo Ka muqabla Padta To Kam samajh Aadmi cheezo ko akhtyar karta Hai aur A'amaal ko tark karta Hai , 

★• _ Kyunki A'amaal ki qadaro qeemat is Duniya ki vajah se ojhal ban jati hai ,Jis tarah Raai Ka Daana chhota Hai aur Pahaad bada Hai Magar Aankh mai Raai Ka Daana daalne ki vajah se bada Pahaad bhi ojhal ho jata Hai aur nadaan samajhta Hai k Raai Ka Daana bada Hai ,isliye Pahaad ojhal ban gaya ,

★• _ Halanki ye Haqeeqat nahi Hai balki uski Aankh is qadar Chhoti Hai k Raai ke daane ki vajah se pahaad ko nahi dekh sakti Hai , 

★ • _ Isi tarah jiski Dil ki Aankh band hoti Hai wo Duniya Jiski haisiyat Machchhar Ke Par Ke Barabar Bhi Nahi Hai , A'amaal ke muqable mai is Duniya ko bada samajhta Hai ,To ye uski samajh ki kami aur Kamzori Hai aur Ye Haqeeqat Firoun aur Abu Jahal ko bhi Maut ke waqt samajh mai aa gayi thi ,Lekin us Waqt Ka samajh mai aana be sood Hai ,

★. _ isliye k Unhone Allah aur Uske Rasool ki khabar ko tasleem nahi kiya balki Nazar ko tasleem kiya , Baari Ta'ala Ka farmaan Hai k Humne Parda hata liya to Teri Aankh badi tezi ke Saath dekh rahi Hai ( Jannat aur Jahannam ko aur A'amaal ki taseer ko ),


            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─


❈…… .. _*Masajide Aalam Ka Connection Baitullaah se ,*

↬• Ek Mard aur Ek Aurat aur Ek Bachche ki qurbani per Baari Ta'ala ne Apni Rehmato aur Barkato ke nuzool ke Baitullaah ki tameer Ka hukm Diya ,

★• _ Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne Roohaniyat wale Ghar ki tameer ke Baad Dua farmayi , Baari Ta'ala ne Apne Karam se Unki nasal mai Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ko paida farmaya ,

★• _ Aur Aapne Teeno kaamo Ka markaz Baitullaah ko banaya , Tilawat e Aayaat Yani Dawat Ka Amal Jaari farmaya , Chunki Aapko Tilawat baraye Tilawat na thi ,balki baraye Dawat thi ,

★ •_ Aur Androon ki Safaai farmayi aur Qur'an v Hadees ki taleem di aur inhi A'amaal ko zinda karne ke liye Masjid Nabvi ko banaya aur usme ye Teeno Amal Jaari farmaye ,  

★. _ Taki Baitullaah ki Rehmato aur Barkato se iska Talluq qaa'im rahe aur Masjid wali Rehmate aur Barkate gharo aur Karobaar mai bhi muntaqil ho ,

★• _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Baad Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne atraaf e Aalam mai fail Kar Masajid qaa'im ki aur yahi A'amaal zinda kiye aur Baitullaah ki Rehmato aur Barkato ke Saath Talluq qaa'im rakha ,

"__ Agar Aaj bhi Apni Masajid mai ye A'amaal zinda kiye Jaye to Khuda ki zaat se Kya Ba'ied Hai k iske asraat aur barkaat atraafe Aalam mai faila kar Aman v Amaan aur Rehmat v Barkat Ka baa'is bana de ,

    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Dawat Kya Hai -,*

↬• Laa ilaaha illallaah ye tamaam Ambiya ki Dawat Ka Mushtaraka hissa Hai ,Ye imaan Ki Dawat Hai ,

★• _ Ye k Khuda ki zaat Ka Yaqeen esa ho k Dil mai gair Ka Yaqeen na rahe , izzat v Zillat,Khof v Aman ,Bimari v Tandurasti ,Maut v Hayaat ,Muwafiq v Mukhalif Halaat sab uske qabza e qudrat mai Hai ,

★• _ Karta dharta Khuda ki zaat Hai ,izzat v Aman v Kaamyabi ke naqsho mai Zillat ,Khof aur Nakaami paida Kar Sakta Hai Jesa k Firoun ke Saath hua ,aur Zillat v Khof aur Nakaami ke naqsho mai izaat v Aman v Kaamyabi paida Kar Sakta Hai Jesa k Yusuf Alaihissalam ke Saath hua,

★ • _ Ambiya Alaihissalam logo se Allah ki qudrat v Taaqat Ka tarruf karate they ,Raat aur Din mai ,Khilwat v Jalwat mai ,Sardi aur Garmi mai ,Alal Elaan aur Chupke Chupke maar aur gaaliya'n Khaa Kar Zaleel aur Lahu Luhaan ho Kar minnat v samajat Kar ke Galat Tor Per Khuda ki pakad aane se pehle har Waqt logo ko samjhane ki fikr v kudhan aur Jaddo Jahad karte they,

★. _ Aur Khuda ki Taaqat ko tasleem nahi Kiya aur Galat Tor Tareeqe per jame rahe aur Khuda ki Taaqat Ka muqabla kiya to fir Khuda ki pakad aayi aur Tamaam Galat Tor Tareeqe wali Taaqato ko tabaah aur barbaad Kar diya gaya ,aur Wo Khuda ki Taaqat Ka muqabla na kar saki ,

★• _ Khuda Jonsi makhlooq ko chahe nafa v nuqsaan ke istemal Kare , Namrood jesi Taaqat ko Langda Machchhar istemal Kar ke tabaah Kar de aur Nabiyo'n ke Sardaar Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki Makdi se Jaala Tanwa Kar hifazat Kar de aur Abraha ke Haathiyo'n Ka Lashkar Chhote Parindo aur Chhoti Kankriyo se tabaah Kar de , Khuda ki zaat qaadire mutlaq hai, 

↬• Tamaam Ambiya Alaihissalam ne Khuda Taaqat ko tasleem karne ki Purzor Dawat di ,

★• _ insaan Hukumat,Maal v Daulat, Taaqat aur Aksariyat ke ghamand mai dandanata hai aur zulm v zyadti karta Hai,Jisse poori Duniya fitna v fasaad ,bad amani aur Pareshaniyo ki aama jagah Bani Hui Hai,

★• _ Halanki uski ye taaqate temporary aur aarzi hai'n, Jo fana hogi ,Asli aur Haqeeqi Taaqat Khuda ki Hai , Hum poori Duniya ko danke ki chot challenge karte hai'n k Khuda ki Taaqat ko tasleem Karo Khuda Tumhare bede paar Karega aur agar Khuda ki Taaqat ko tasleem karke himayat mai nahi liya to Khuda Tumhare bede garq Karega , 

★ • _ Hum Laal ,Gora ,Gulabi aur Kaale Chaudhary Ka beda paar karne ki Dawat dete hai'n,Kisi Ka beda garq karwana nahi chahte ,Lihaza atraafe Aalam ke goshe goshe aur chappe chappe mai aur Ghar Ghar dar dar jaa Kar logo ko samjhana Hai aur Jahannam ke angaaro se Jannat ke baagicho ki taraf aane ki Dawat Deni Hai ,

★. _ Khuda ki Taaqat tasleem Kar ke uski himayat haasil Kar li to to Khuda Tumhe har haal mai Kaamyab Karega aur agar uski himayat haasil nahi ki to har haal mai nakaaam Karega ,


↬• Jab Log Khuda ki Taaqat ko tasleem Kar le to Fir Kalme Ka Doosra Juz Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Ka chalega ,

★• _ Chunki Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Ambiya ke Sardaar aur Khatimul Nabiyeen aur Rehmatul Aalameen hai'n, Aapki Jismani aur Roohani Parwaaz Tamaam makhlooq se baala aur A'ala Hai , 

★• _ Aap Aasmano se ouper gaye aur itna ouper gaye k Farishto ke Sardaar Hazrat Jibraiyl Alaihivasallam ne Sidratul Muntaha per Saath Chhod diya aur Wahi ruk gaye , Jis tarah Ahle Science aur Chaand aur Sayyaro per ruk gaye aur Aapse Hazrat Jibraiyl Alaihivasallam ne farmaya k Agar Ek Baal barabar bhi aage badha to Khuda ki tajalli mere Paro ko Jala Kar khaak Kar degi ,

★ • _ Pas Muhammad Sallallahu Alaihivasallam isse aage Tane Tanha tashreef le gaye aur Khuda se Bahut qareeb hue aur Allah ne Raazo niyaaz ki baate ki aur Aapne waha'n per Khuda ki badi badi nishaniya'n dekhi ,

★. _ Jannat aur Jahannam ko dekha ,Nek v Bad A'amaal ko Asmaan per aate aur Uske mutabiq Faisle Zameen per utarte dekhe , Khuda ne Jis qadar chaha us qadar Aapko dikhaya aur Khuda ne farma diya k Aapki dekhi Hui gaib ki Baato per Jhagde mat nikaalo ,

★• _ Lihaza Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Ka bataya hua tareeqa Yaqeen Kar ke Apna lo Chunki Duniya ke basne wale insaan gaib ke maamle mai andhe hai'n , Andha Aadmi agar Beena ke sahare chalega to manzile maqsood Tak pahunch jayega ,

"__ Lihaza Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Beena hai'n , Kaamyab Zindgi guzaare ke liye Aapke Tareeqe Ka Sahara lo , Khuda ki zaat se Ummeed Hai k Duniya mai faili Hui Pareshaniyo aur Fitne v fasaad door ho Kar Rehmato aur Barkato aur Amno Amaan qaa'im hoga aur Abdi Raahato se hamkinaar honge , 

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
❈…… .. _*Taaqate imaan Kya Hai ?*

↬• Allah ki zaat Ka Yaqeen esa ho k Dil mai gair Ka Yaqeen na rahe , is imaan ki Taaqat ke zariye Namaz Dua aur Tamaam A'amaal Saleha Asmaan per jayenge ,

★• _ Jis tarah Chaand per bhejne ke liye Science walo ko Rocket ke dhakke ki zarurat padi ,isi tarah A'amaal aur Duao'n ko Asmaan per pahunchane ke liye taaqate imaan ki zarurat Hai,

★• _ Faqat imaan Ka Bol aur Alfaz Kaafi nahi Hai balki imaan Ka Talluq Dil se Hai , Lihaza iski Haqeeqat Dil mai utaarni zaruri hai aur Dil mai imaan hone ki nishani ye hai k Momin har haal mai Khuda ke Awamir per Amal karne Wala bane ,

★ •_ Aur Munkir cheezo se rokne Wala bane Chahe usko kitni hi raahate qurban karni pade aur Kitni hi takaleef bardasht Karni pade , 

★._ Qur'an mai Jis qadar bade bade Vaade hai'n wo is imaan per hai'n , Kaamyabi aur Nustrat Ka Vaada ,Sarbulandi aur izzat Ka Vaada ,Nijaat aur Aman Ka Vaada ,Mayate Khudawandi aur Jannat Ka Vaada, Fazal e kabeer aur Mehbubiyat Ka Vaada ,Neez Sifaate imaan per bhi maiyate Khudawandi Ka Vaada Hai aur Wo Taqwa aur Sabr v Ahsaan Hai ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

           ❈…… .. _*Mubashshiraat -*
   
↬• Hazrat Maulana Umar Palanpuri Reh. ne Kai baar khwaab mai Huzoor Sarware Do Aalam Sallallahu Alaihivasallam ki ziyarat Ka sarf haasil farmaya hai ,Jisme Aapne Deen ki Jaddo Jahad karne walo ke liye Basharte farmayi hai'n ,

★• _ Bil khusoos Dawate Deen Ke Amal karne walo ke liye Basharto ke alawa Aap Sallallahu Alaihivasallam ki tavajjohaat ko is Kaam ki taraf hona bataya gaya Hai ,Hazrat Maulana ke ese Kai khwaab hai'n ,iske alawa doosre Hazraat ne bhi bhi Hazrat Maulana ki Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke Saath ziyarat farmayi hai ,

★•_ Lekin in sabme se Sirf Wo khwaab Jo Hazrat Maulana ke hai'n aur Aapne unko kalamband kiya hai ,usme se Sirf khwaab darje zel zikr kiye Jate hai'n Jisse Hazrat Maulana ki Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Saath gaayat darja Muhabbat Ka aur Dawate Deen Ke Amal ki azmat Ka bhi andaza hota Hai , 

★ • _ (1- Khwaab) - Az Maulana Umar Palanpuri :22 Rabiul Awwal, 1400 / 10 February-1980  ,itwaar Ka din guzar Kar aadhi Raat ko Dhaaka ko Kara'il mai Maine Khwaab dekha k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ko talash kar raha hu'n , Log badi Tadaad mai ja rahe hai'n, Ek jagah Chand Aadmiyo ke darmiyan mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam hai'n ,Maine Aapko Salam Kiya aur musafa kiya aur Jannat ke bare mai Sawal Kiya ,

★. _ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jannat mai to in Sha Allah Jana hai ,bade maze mai , Fir maine kaha k Hazrat Shekhul Hadees Maulana Muhammad Zakariya Sahab aur Hazrat Ji dono ne salam kaha hai aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne salam qubool farmaya aur farmaya k Hazrat Shekhul Hadees Sahab to ese hai'n k Aankhe chakachondh ho jati hai, Yani khoob Noor hai ye Dil mai aaya ,Alfaz chakachondh ke hai'n ,Fir Aankh khul gayi ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

↬•( Khwaab -2 ) Zilhijja 1397 / 9 December 1977 ,

★• _ Masjide Noor mai Hazrat Ji Madzillahu ki qayamgaah per soya ,Khwaab mai Kai Aadmi dekhe , Ek Nojawan se puchha k Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam Kaha'n hai'n , usne ishara kiya k us kamre mai hai'n ,

★• _ Mai'n Kamre mai dakhil hua to dekha k Bahut se nek log usme hai'n ,Ek kinaare per Ibrahim Abdul Jabbaar Sahab bhi hai'n ,Auro'n per gor nahi kiya , Aap Sallallahu Alaihivasallam Chaar payi per tashreef farma hai'n , Maine musafa Karna chaha to farmaya thehar jao ,

★ •_ Ye farma Kar Aap Sallallahu Alaihivasallam Chaar payi se niche utar aaye aur musafa kiya ,Fir Chaar payi per Paanv faila Kar tashreef farma hue , maine Aapke dono Paanv Mubarak khoob choome aur Aapne Mana nahi farmaya , 

★. _ Fir Maine ziyarat Karna chaha ,Aap doosre se Baat karne mai mashgool they ,mujhe roka aur faarig ho Kar irshad farmaya aur mujhe mukhatib Kar ke farmaya k Maulvi Sahab is Waqt hum ek muhim per hai'n tum bhi aa Jana ,

★• _ Maine kaha k kab , Farmaya k Kal ,Maine maloom Kiya - Kaha'n , farmaya - Haram mai ( Yani madni Haram muraad hai ) maine kaha - Kis Waqt ? Farmaya - Jis Waqt chaho aa Jana ,Fir Maine Hazrat Shekhul Hadees aur Hazrat Ji Madzillahu ke bare mai maloom Karna chaha ,Lekin khwaab khatm ho gaya ,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
↬• ( Khwaab -3 ) 1389 Hijri , Saray gaanv Jo jwala pur ke qareeb hai, Waha'n Soya tha k Khwaab mai bada majma dekha Jisme Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam tashreef farma hai'n , Mai'n Ja Kar mila musafa hua , Maine Hazrat Shekhul Hadees Sahab Db ke bare mai Baat Karna chaha k Kya Nizaam rahe Lekin Meri Baat se pehle Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Bahut ahatmaam se ye Baat tablig ke bare mai kehni Shuru farmayi k,

"_ ye Kyu kaha ja raha Hai k kuchh nahi ho raha Hai aur Tablig wale kuchh nahi Kar rahe hai'n, ye kaha ja raha Hai k khud yu'n Kaho k hum se kuchh nahi ho raha Hai, Tawazo wali Baat aur hai lekin na-Shukri ki had tak na ho ,

★• _ Paanch ya Das baar isi ko farmate rahe Hattaki mujhe Hazrat Aqdas Shekhul Hadees Madzillahu ke bare mai Baat karne Ka moqa na mila aur Aankh khul gayi, 

★• _Mai'n Zubaan se aur tehreer se is manzar ko Ada nahi Kar Sakta Jo Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka tha ,aur baar baar fikr se farma rahe they k ho raha Hai _,

            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

↬• ( Khwaab-4 ) Panoli ke ijtima ke Aakhri Din fajar ki Namaz ke Baad neend aayi to Khwaab mai Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ki ziyarat Hui ,

★• _ Aapke qareeb mai ek aur Sahab bhi Kursi per they , Unse puchha k Kon hai'n ? Unhone kaha k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam hai'n ,

★• _ Fir Maine Aapse bhi puchha k maine Aapko Sahi nahi pehchana , farmaya k Mai'n Allah ka Rasool ( Sallallahu Alaihivasallam ) hu'n , Maine kaha k Aap Sallallahu Alaihivasallam na farmate to bhi Aap hi ki Hadees ki vajah se mujhe pakka Yaqeen hota k Aap Allah ke Rasool hai'n , Kyunki Shaitaan Aapki Soorat mai nahi aa Sakta ,

★ •_ Musafa ,Mu'anqa khoob achchhi tarah Kiya ,Shuru mai door se to Hazrat Shekh ki shakl ke mushabe shakl thi ,fir Doosri shakl ho gayi ,Wahi Aakhir Tak rahi , Farmaya k Kya Hazrat Dehli gaye hai'n ? Maine kaha Haa'n , Farmaya Hazrat Shekh Ka Safar Kal hai ? Maine pehle to kaha Haa'n ,fir kaha abhi to Kai din hai'n , Mai'n Sawal se pehle samjha k Bombay Ka Safar Kal hai ,Baad mai jawab hi mai Ahsaas hua k Madina Munavvara Ka Safar muraad Hai ,to arz Kiya usko bhi Kai din baqi hai'n ,

★. _ Farmaya Bahut Achchha , fir bahut si baate farmayi aur khoob tablig ke Kaam per Himmat afzaai farmayi , maine kaha k Hazrat Ummat Bahut Pareshan hai , Farmaya Tablig wale bhi to Mujahide mai hai'n , Maine arz Kiya k - Kya Aap Sallallahu Alaihivasallam is Deeni Mehnat se Khush hai'n ? Farmaya k Mai'n Bahut Khush hu'n ,

★• _ Arz Kiya k hum Tablig walo ke liye koi Khaas Paigaam ho to irshad farmaiye , Farmaya - Tablig wale mujahido mai hai'n , bas Mai'n to ahmiyat ke Saath do baate Kehta hu'n k ,

*"__ Mehnat karne wale Agraaz se Paak ho kar Allah ki Raza ke liye kare ,doosre ye k istakhlaas ho Yani Jo is Kaam mai lage Wo aur Jhamelo mai na pade , is Kaam per poori quwwat laga de , poori Duniya ke insaano ki Pareshaniyo Ka Hal isme hai ,"*

❈ Maine kaha - Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Aapne Khwaab mai Wo Kahi Jo jaagte mai Qur'an v Hadees mai Kahi aur Koi Baat farmate to Hume taveel karni padhti ,Ye to Saaf Baat hai ,

★•_ Mai'n fajar ki Namaz ke Baad thoda so Kar bairoon ke aaye hue ahbaab se Baat karne Ka iraada rakhta tha ,Maulvi Moosa Sahab ne kaha Tujhe 7:30 baje uthaunga , maine kaha Miya ji Mehraab Sahab Ka hukm Hai k 8 baje bade Majme mai aana hai ,fir to mushkil ho gayi , isliye fajar ke Baad tum foran unhe jama kar lo, jab jama ho Jaye to foran bula lo , Mai'n 10-15 minute Ka waqfa milega isme so lunga ,be takalluf mujhe jaga dena,  

★• _ Mai'n in fikro ke Saath soya k Allah dono karwa de Taki Hazrat ke bade Majme mai pahunchne Tak baat poori ho Jaye , maine Sone se pehle Hi Hazrat Wala se puchha k in Bairoon walo se kya Baat karu'n ,irshad farmaya- ikhlaas aur istakhlaas , maine iske Bayan Ka iraada Kar liya aur so gaya ,isme ye Khwaab aaya aur Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne bhi yahi do baate ma tashreeh irshad farmayi Jo Hazrat Ji Madzillahu ke do kalmo ki Tafseel thi,

★ • _ Maine arz Kiya Hazrat Aap Sallallahu Alaihivasallam se milte hi Mera musafa , Mu'anqa ho chuka Hai, Lekin ese moqe mujh Jese Za'ief ko baar baar Kaha'n milte hai'n  iske baad dobara musafa v Mu'anqa karu'n aur peahani per bosa bhi du'n , Aamadgi Ka izhaar farmaya , maine Bahut achchhi tarah se musafa kiya Bahut der Tak Mu'anqa mai ek doosre ko dabane ki koshish ki thi ,

★. _ Jab faarig hua to irshad farmaya Mai'n tumhari peshani per bosa dunga , maine Sharm ke mare sar nicha Kar liya ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Apne Daste Mubarak se ouncha Kar ke peshani per bosa diya fir hont chooma ,fir honto per dam Kiya ,us Waqt Mera moonh mamool ke mutabiq khula tha ,irshad farmaya k aur zyada hont kholo Taki Mera thook aur Mera luaab dahan Mubarak tumhari Zubaan Tak pahunche ,moonh utna hi khola fir Aap Sallallahu Alaihivasallam baar baar kuchh padh Kar andar dam farmate rahe aur Luaabe dahan Mubarak mere moonh ke andar honto per aur khususan Zubaan Tak pahunchta raha ,fir Aap tashreef le gaye aur Meri Aankh khul gayi,

★• Mai'n Kaagaz le kar ye Khwaab likhne betha Taki Bhool na jau'n , itne mai Maulvi Muhammad Moosa aa gaye aur kaha k Tujhe jagane mai dar lagta Tha lekin zaruri bhi Tha isliye Himmat kar ke maine kamre Ka darwaza is Niyat se khola k in Sha Allah Aap jagane se Khush honge , Kyunki Deeni Taqaze per jagaya Jata hai ye soch Kar darwaza khola , 


↬• ( Khwaab -4 Ka baqi hissa Jaari ) , Mai fir Khwaab likhe bager Bairoon walo mai Khilafe mamool bila vazu gaya Varna ba vazu Bayan karne ki aadat hai , yaha'n Waqt ki Tangi ki vajah se bila vazu gaya , Bairoon walo se faarig ho Kar bade Majme mai Jane se pehle intinja zor se aa raha Tha isliye istinja ,Vazu dono cheeze qabu mai aa gayi , fir naram Giza Ka nashta Jaldi Kar ke Alhamdulillah chal diya , Hazrat Maulana ki tashreef aavri se pehle Jitni baat karne Ka irada tha Kar chuka to Hazrat Wala tashreef laye aur Bayan farmaya aur Dua bhi ki ,

★• _ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam  ne Bahut Tafseel farmayi aur Kaam ke Halaat puchhte rahe aur Mai'n jawab deta raha , Alhamdulillah har jawab per Aap Sallallahu Alaihivasallam Ka inshrah aur insbaat paya , Poore Khwab mai takaddur ek second ke liye bhi Mehsoos na hua aur Khwaab hi mai ye Mehsoos hua Aap Tabligi Kaam ki taraf hammatan mutavajjah hai'n aur Sawalaat is andaz ke they Jese nigrani karne Wala puchha karta Hai , is Waqt Jo Yaad hai likh liye hai'n ,
                     
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
 
↬• -( Khwaab -5 )_  17 June 1976 , Lanka mai, Fajar ki Namaz ke Baad Khwaab dekha ,

★• Dekha k Aam ijtimaa hai ,Koi Saathi Baat Kar rahe hai'n, Ek Kamre mai Hazrat Ji Madzillahu hai'n aur Ek Kamre mai Chaar Payi per Maulana Manzoor Ahmad Nomani sarhane bethe hue hai'n aur Maulana Habibullah Palanpuri bethe hue hai'n ,

★• _ Mai'n in dono Hazraat se Milne gaya , Maulana Habibullah Sahab ne mujhse kaha k Aapke Fala Arbi Shayr mai Nahu ke aitbaar se Fala Galti thi , Maulana Manzoor Ahmad Sahab Nomani ne unse kaha k kuchh Esi giraft nahi karni chahiye , Mazmoon dekho , Maine Maulana Manzoor Ahmad Nomani Sahab se arz Kiya k Nahu ki Galti batayi hai ,

★ •_ Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam bhi ek Kamre mai muqeem hai'n Lekin Mai'n bhi Hazrat Ji Madzillahu ke paas ,Kabhi Aam Majme mai ,Kabhi khwaas ke paas idhar udhar ja raha hu'n , Taki Aapke paas Jane se pehle Tabligi Kaam har aitbaar se theek ho raha ho Taki Aap Sallallahu Alaihivasallam se mulaqaat per naraazgi na ho , Mai'n Aapse mil na saka aur Khwaab hi mai Meri Aankh khul gayi, Haqeeqat mai ye bhi Khwaab hi Tha ,  

★. _ Maine Hazrat Ji Madzillahu ko ye Saara maajra sunaya aur arz Kiya k Aap Sallallahu Alaihivasallam se mulaqaat to na Hui Lekin Aap Sallallahu Alaihivasallam ki taraf se Dil mai Khwaab ki tabeer ki Chand baate ilqa Hui hai'n , Jo Hazrat Ji Madzillahu ko sunayi , ek ye k Safar Manzoor aur maqbool hai aur Allah ki Muhabbat paida hone Ka zariya hai , doosre ye k Meri Ummat ke Awaam mai Mehnat ki vajah se Ummat Ke khwaas bhi Awaam ki tarah ho rahe hai'n , Teesri Baat ye Hai k Hindustan Ka Tabligi Kaam qabile itminaan hai , Maine kaha k Pakistan Ka ? To Dil mai aaya Yani Aap Wala hi ilqa hai k Pakistan,Silon ,Barma , Bangladesh Sab Hindustan hi mai dakhil hai'n , ye taqseem to a'ada ki hai ,

★• _ Ye sab Suna Kar maine Hazrat ji Madzillahu se arz Kiya k Abhi Jo Awaam Aapki khidmat kar rahe hai'n unhe na hataya Jaye ,Hatane wale bhi abhi ahatyaat Kare to Chaaro taraf khidmat karne walo Ka hujoom tha , fir Maine Hazrat Ji se arz Kiya k fir Mai'n sota hu'n Taki Aap Sallallahu Alaihivasallam se mulaqaat Kar lu , Taki Hazrat Shekh Ka Koi Paigaam mile ya Aapke Naam Koi Paigaam mile ya Kam az Kam ziyarat hi ho Jaye  ,Fir Khwaab hi mai so gaya Lekin ziyarat na Hui , Fir Sach much Aankh khul gayi ,

------- *Alhamdulillah .. Sawaneh Ko hum isi per mukammal karte hai'n*, 

 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔             
☆☆ *Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Umar Palanpuri Reh*.
☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*,
                         
              ⚀ *Talib e Dua*,
             ⊙ *Haqq Ka Daayi*,
http://www.haqqkadaayi.com/search/label/Dawat%20Tablig?m=0 
 *For all msgs Plz Visit*
*Telegram_* https://t.me/haqqKaDaayi


Post a Comment

 
Top