0

✰══❖═══✰══❖═══
                       ﺑِﺴْــــــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ 
═══❖══✰═══❖══✰
       鹿 *TOHFA-E-KHAWATEEN* 鹿
    *⊙ Faza'il e Qur'an v Zikrullaah*⊙
     ┗═════════════════✿
*┱✿ Qur'an Padhna aur Padhana _,*
┱ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Tumme se sabse behtar WO hai Jo Qur'an Seekhe aur Sikhaye _,"
* Mishkaat- 1/183 Ba hawala Bukhari,*
┱ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k meri Ummat ke Shareef log WO hai'n Jo Qur'an ke haamileen hai'n aur Raat ko bedaar rehne wale hai'n _,"
* Mishkaat- 1/110 Bahyqi v Shobul imaan _,*
*┱ Tashreeh_,* _ in dono hadeeso mai Qur'an e Kareem ke padhne padhane aur uski taleem v tarveej mai lagne ki Fazilat bayan farmayi hai, Duniya mai karodo Aadmi baste hai'n Chhota bada aur achcha bura aur Shareef v gair Shareef hone ke bahut se maiyaar hai'n, is bare mai logo ki mukhtalif raay hai ,
┱ Koi Daulatmand Aadmi ko bada samajhta hai koi Sadar aur Wazeer ko Shareef jaanta hai ,Koi achchhe bangle mai rehne wale ko achcha jaanta hai, Koi badi Firm aur Motor Car vagera ke Maalik hone ko badaai ka maiyaar yaqeen karta hai , Khuda Ta'ala ke sachche Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne in saare khayalaato ko galat qaraar diya aur Sharafat ka maiyaar Qur'an Majeed mai Mashgool hona bataya aur Jo iski taleem mai lage Uske bare mai farmaya k WO sabse behtar Aadmi hai ,
   ┗═════════════════✿
*┱✿ Qur'an Padhne Ka Ajro Sawab ,*
┱ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo Shakhs Allah Ta'ala ki kitaab Se ek Harf padhe to Uske liye us Harf ke badle ek neki milegi aur har neki Das nekiyo'n ( ki ) barabar ( likhi jati ) hai , 
┱( Fir Farmaya ) mai'n nahi kehta k الم ek harf hai balki mai'n kehta hu'n k Alif ek harf hai aur Laam ek hai aur Meem ek harf hai ,
* Tirmizi Sharif,*
"__ Agar Kisi ne Lafz الْحَمْدُ Kaha to Uske kehne se Pachaas nekiya'n mil jayegi kyunki isme Paanch harf hai ,
┱ Qur'an e Kareem ki Tilawat aur Allah ka zikr Zubaan per jaari rakhne sw bahut munafe haasil hote hai'n, Ek martaba Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Abuzar Raziyallahu Anhu ko Chand Wasiyate farmayi Jinme se ek ye hai k Tum Tilawate Qur'an aur Zikrullaah ko Apne ouper laazim kar lo Kyunki isse Asmaan mai tumhara tazkira hoga aur zameen mai tumhare liye Noor hoga _,"
*Mishkaat- 2/415_,*
             
    ┗═════════════════✿
*┱✿ Qur'an E Majeed Allah Ki Kitaab,*
┱ Qur'an E Majeed Allah Ta'ala ki kitaab hai , isme Ahkaam hai'n , Ma'aruf v Haqa'iq hai'n, Akhlaaq v Adaab hai'n, isne Duniya v Aakhirat ki kaamyabi ke A'amaal bataye hai'n , Ye inqlaabe Aalam ke asbaab aur Aqwaam ke zero zabar hone ki taraf rehbari karta hai,  
┱ Qur'an E Kareem Ki barkate be inteha hai , Khuda e Paak ki rehmato ka sarchashma hai Ni'amato v Daulat ka khazana hai , iski talimaat per Amal karna Duniya v Aakhirat ki Sar bulandi aur sarfarazi ka zariya hai , iske alfaz bhi bahut Mubarak hai'n ,
┱ Ye Sabse bade Badshah ka Kalaam hai ,Khaaliq v Maalik ka payaam hai Jo usne Apne Bando aur Bandiyo'n ke liye bheja hai, iske alfaz bahut ba barkat hai , iski Tilawat karne wala Aakhirat ke be inteha Ajro Samraat ka mustahiq hota hi hai ,Duniyavi Zindgi mai bhi Rehmat v Barkat aur izzat v Nusrat isse humkinaar hoti hai aur Ye Sukoone Qalb aur khushaali ki Zindgi guzaarta hai ,
             
┱ Kalamullah ki Ajeeb Shaan hai iske Padhne se kabhi seeri nahi hoti aur barso padhte raho kabhi purana maloom nahi hota , Yani Tilawat karne wale ki tabiyat ka lagaav is buniyaad per khatm nahi hota k baar baar ek hi cheez ko padh raha hai balki Baat ye hai k jitni baar padhte hai'n nayi cheez maloom hoti hai,
┗═════════════════✿
*┱✿ Aakhri Manzil Per _,*
┱ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Qayamat Ke Roz Qur'an wale se Kaha jayega k Padhta ja aur ( Jannat Ke darjaat mai ) chadta ja Kyunki Teri Manzil us Aayat ke Paas hai Jisko Tu sabse Aakhir mai Padhe ,
* Mishkaat- ,*
"__( Yani Chadte chadte jaha'n Teri Qir'aat khatm hogi Wahi Teri Manzil hai ,Lihaza Jisko jitna Qur'an Sharif Yaad hoga utna hi usko buland darja milega )
*┱✿ Veeraan Ghar _,*
┱ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jis Shakhs ke Dil mai Qur'an ka Kuchh hissa ( bhi ) nahi WO Veeraan Ghar ki tarah se hai _,
* Tirmizi _,*
"__ Maloom hua k Dil ek imaarat hai Jiski Aabaadi Qur'an Sharif se hai ,
             
*┱✿ Qabile Rashk _,*
┱ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Rashk sirf Do Aadmiyo per hai ,Ek WO Jisko khuda ne Qur'an diya So Woh isme Raat Din laga rehta hai , Namazo mai padhta hai Tilawat karta hai Us per Amal karta hai , Doosre Woh Jisko khuda ne maal diya so woh usme se Raat Din Raza e ilaahi mai kharch karta rehta hai ,
* Bukhari _,*
     ┗═════════════════✿
*┱✿ Aurto'n ko Surah Baqrah Ki Aakhri Do Aayate yaad Karne ka Hukm _,*
┱ Hazrat Jubair bin Nufair Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Allah Ta'ala ne esi Do Aayato per Surah Baqrah khatm farmayi hai Jo Allah ne mujhe Apne khazane se di hai Jo Uske arsh ke niche hai , Lihaza Tum in Aayato ko seekho aur Apni Aurto'n ko sikhlao ( taki WO bhi Tilawat kare aur inke seekhne sikhane ki zarurat isliye hai ) k ye ( zariya e ) Rahmat hai'n aur ( Allah ki ) nazdeeki haasil hone ka sabab hai aur sarapa Dua hai _,"
* Mishkaat- 189 Ba hawala Daarmi ,*
┱ In Aayato ko yaad kare aur baar baar padhe aur khususiyat ke saath sote waqt zaroor padha kare ,  Mard ho ya Aurat ho Aakhirat ki daud dhoop mai Sab yaksa hai'n ,Jo jitna karega ajr payega , 
                   ┗═════════════════✿
*┱✿ Surah Baqrah aur A'ale imraan Ki Fazilat _,*
┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se  rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Apne gharo ko qabre na banao ,
( Yani gharo mai zikr v Tilawat ka ahatmam rakho aur zikr v Tilawat se khaali rakh kar gharo ko qabristan na banao k Jese waha'n zikr v Tilawat ki fiza nahi hai ESE hi ghar bhi isse khaali ho jaye aur zinda log murdo ke mushabe ban jaye ) 
"___Fir farmaya k Beshak Shaitaan us ghar se bhaagta hai Jisme Surah Baqrah padhi jati hai ,
* Muslim Sharif _,*
┱ Hazrat Abu Umaama Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Qur'an Padha karo , Kyunki WO Qayamat ke Din Apne logo ke liye ( Jo ise padhte padhate hai'n aur iski Tilawat ka zoq rakhte hai'n ) Sifarishi ban kar aayega ,
"__ Fir farmaya k Roshan Soorte'n padho ( yani ) Surah Baqrah aur A'ale imraan kyunki ye dono Qayamat ke din do Sa'abaano ki tarah aayengi aur ( Apne logo ko bakhshwane aur darje buland karane ke liye khuda e Paak ke Huzoor mai ) Khoob zordaar sifarish karegi ,
"__ Fir farmaya k Surah Baqrah ko padho kyunki iska haasil kar Lena baa'ise barkat hai aur iska chhod dena baa'ise hasrat hai aur ye baatil walo ke bas ki nahi ,
* Muslim Sharif _,*
                   ┗═════════════════✿
*┱✿ Aayat-ul-Kursi Ki Fazilat _,*
┱ Aayat-ul-Kursi bhi Surah Baqrah Ki ek Aayat hai Jo Teesre Paare ke Pehle Safa per hai , iske padhne ki bahut Fazilat aayi hai ,
┱ Ek Hadees mai hai k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu se daryaft farmaya k Batao Allah ki kitaab mai Konsi Aayat sabse Zyada badi hai ?,
Hazrat Ubai bin Ka'ab Raziyallahu Anhu ne arz kiya Allah aur Rasool hi Zyada jaante hai'n ,
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne fir yahi sawal kiya to unhone arz kiya k Sabse badi Aayat Aayat ye hai -
اللَّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ  ...( Aakhir tak )
Ye Sun kar unki tasdeeq farmate hue Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne unke seene per haath maar farmaya - Tumko ilm Mubarak ho  ,"
* Muslim Sharif _,*
┱ Baaz Ahadees mai Aayatul Kursi ko tamaam Aayate Quraniya ki sardaar farmaya , *( Hisne Haseen )*
┱ Ek Hadees mai hai k Jab Tum Raat ko Sone ke liye Apne Bistar per Jao to  Aayatul kursi
اللَّهُ لَا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ الْحَيُّ الْقَيُّومُ  Aakhir tak
Padh lo , Agar esa kar loge to Allah Ta'ala ki taraf se tumhare liye ouper ek nigraa'n muqarrar ho jayega ,aur tumhare qareeb Shaitaan na aayega ,
*Bukhari Sharif _,*
                   ┗═════════════════✿
*┱✿ Farz Namaz Ke baad Aayat-ul -Kursi _,*
┱ Farz Namaz ke baad bhi Aayatul Kursi padhni chahiye , Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maine Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se suna hai k Jo Shakhs har ( Farz ) Namaz ke baad Aayatul Kursi Padh le usko Jannat mai Jane ke liye Maut hi aad bani hui hai
Aur Jo Shakhs is Aayat ko Apne Bistar per let te waqt Padh le to Allah Ta'ala Uske ghar mai aur Padosi ke ghar mai aur Aas Paas ke gharo mai Aman rakhega _,"
* Bayhiqi Fi Shobul Imaan _,*
┱ Shaitaan Ke Asar ,Aaseb ,Bhoot Pret se bachne ke liye Aayatul Kursi ka Padhna mujarrab hai ,
     ┗═════════════════✿
*┱✿ Surah Baqrah ki Aakhri Do Aayaat Raat Ko Padhna _,*
┱ Hazrat Abu Moosa Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jisne Surah Baqrah ki Aakhri Do Aayaat Raat ko padh le to ye Aayaat Uske liye kaafi hongi ,( Yani Raat bhar ye Shakhs Jinno Bashar ki Shararato se mehfooz rahega , har nagawaar Cheez se uski hifazat hogi )_,"
* Bukhari v Muslim _,*
┱ Hazrat Nomaan bin Basheer Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Allah Ta'ala ne Do Aayate naazil farmayi hai'n Jin per Surah Baqrah khatm ki hai Jis ghar mai teen Raat padhi jayegi to Shaitaan us ghar ke qareeb na aayega _,"
*Tirmizi v Daarmi _,*
┱ Ek Hadees mai hai k Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Surah Baqrah ke khatm per Jo Aayate hai'n Allah Ta'ala ne Apni Rahmat ke khazano se di hai Jo arsh ke niche hai'n ,( in me Jo Duae'n hai'n esi zabardast hai k ) unhone duniya v Aakhirat ki koi bhalaai nahi chhodi Jiska Sawal in me na kiya ho _,"
* Mishkaat Sharif _,*
                   ┗═════════════════✿
*┱✿ Surah Baqrah Ki Aakhri Do Aayato Ki Fazilat _,*
┱ Surah Baqrah ki Aakhri do Aayate ke padhne ki bhi bahut Fazilat hai , Aakhri Aayat mai Duae'n hai'n Jo bahut zarurat ki Duae'n hai'n aur in Duao'n ki qubuliyat ka vaada bhi hai ,
┱ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ek Din farmaya k is waqt Aasmano ka ek darwaza khola gaya hai Jo isse Pehle kabhi nahi khola gaya tha ,is darwaze se ek Farishta naazil hua hai Jo Aaj se Pehle Zameen ki taraf kabhi naazil nahi hua ,is farishte ne Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Salaam kiya aur Kaha - Aap Sallallahu Alaihivasallam khush khabri qubool farmaye esi do cheezo ki Jo saraapa Noor hai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam se pehle kisi Nabi ko nahi di gayi ,
1-- Faatihatul Kitaab ( Yani Surah Alhamdo Sharif )
2- Surah Baqrah ki Aakhri Aayaat ( in dono mai Duae'n hai'n) Allah ka ye Vaada hai k in me se Dua ka Jo bhi hissa Aap Sallallahu padhenge Uske mutabiq Allah Ta'ala Aapko zaroor ataa farmayenge _,"
* Muslim Sharif _,*             
     ┗═════════════════✿
*┱✿ Har Raat Ko Surah Waqi'a Padhne se Kabhi Faaqa na Hoga  ,""*
┱ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya K ,
"__ Jo Shakhs rozana Raat ko Surah Waqi'a Padh liya kare use kabhi Faaqa na hoga ,
( Hadees Ke Raavi Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu ke saagird ka bayan hai k ) Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Apni ladkiyo'n ko Hukm de kar rozana Raat ko surah Waqi'a padhwaya karte they_,"
*Mishkaat -189 Ba hawala Ravaah Bayhiqi, Shobul Imaan,*
┱ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k tum Apni Aurto'n ko Surah Waqi'a Sikhao Kyunki WOh Gina( yani Maaldari dilane wali ) Soorat hai _,"
*Kanzul Ummaal -145_,*
     ┗═════════════════✿
*┱✿ Surah Waqi'a Padha Karo _,"*
┱ Hafiz ibne Kaseer Reh.ne Apni tafseer mai ibne Asaakar Reh.ke hawale se likha hai k Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu ke marze wafaat mai Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu unki bimaar pursi ke liye  tashreef le gaye aur daryaft farmaya :- Aapko kya takleef hai ?
Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu ne jawab diya :- Apne gunaaho ke wabaal ki takleef hai ,
Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya:- Aapki Khwahish kya hai ?
Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu ne farmaya :- Apne Parwardigaar ki Rahmat chahta hu'n ,
"__ Aapke liye koi tabeeb bhej du'n ? " Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne puchha ,
Tabeeb hi ne mujhe Bimaar kiya hai ,Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu ne jawab diya ,
To fir Akhrajaat ke liye Kuchh raqam bhijwa du'n ?, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya,
Nahi ,iski mujhe zarurat nahi , Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu ne jawab diya ,
"_Ye Raqam Aapke baad Aapki Sahebzadiyo'n ke kaam aa jayegi ," Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya ,
"__ Kya Aapko meri Betiyo'n per Faqro Faaqa ka andesha hai ? Maine to unhe har Raat Surah Waqi'a ki Tilawat ki takeed kar rakhi hai Kyunki Maine Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ko ye farmate hue suna hai k Jo Shakhs har Raat surah Waqi'a Padhe use kabhi Faaqa ki musibat nahi aayegi _,"
* Tafseer ibne Kaseer - 4/281_,*
┱ Aaj kal Paisa Kanane aur Maaldar banne ke liye bahut Kuchh koshish karte hai'n Lekin Allah ke Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke bataye hue nuskhe per Amal karne ka iraada nahi karte , Aaj kal hum ESE Daur se guzar rahe Hai'n k Mardo'n Aurto'n ko chhod kar chhoto ko bado ko ,Bachcho ko Budho ko Qur'an Majeed ki Tilawat karne aur Allah ka zikr karne ki fursat hi milti ,Tilawat e Kalamullah ke liye logo ki tabiyat hi amaada nahi , Mohalle ke Mohalle gaflat mai pade hue hai'n ,ikka dukka kisi ghar mai koi namazi hai , is afsosnaak mahol ki vajah se Allah ki Rehmato aur Barkato se mehroom hai'n , 
┱ Har Musalman ke liye Zaroori hai k Qur'an Padhe aur Apne Bachcho ko padhaye ,iski barkate zaahir se zaahir v baatin durust ho aur Duniya v Aakhirat ki khair naseeb ho ,
┗═════════════════✿
*┱✿ Surah Fatiha Ki Fazilat _,*
┱ Surah Fatiha Qur'an e Kareem ki pehli soorat hai ,Jo Bahut badi Fazilat wali soorat hai, Ek Hadees mai isko Qur'an ki Sabse badi soorat farmaya hai , *( Bukhari )*
┱ Lambi Soorte'n to aur bhi hai'n magar azmat ke aitbaar se ye sabse badi hai iski bahut barkaat hai'n , Namaz ki har Raka'at mai padhi jati hai , Ek Hadees Sharif mai farmaya k Surah Fatiha Jesi Surah na to Tauraat mai Naazil hui na injeel mai na Zaboor mai na Qur'an mai _," *( Tirmizi )*
┱ Surah Fatiha ka Vird rakhna ,Duniya v Aakhirat ki bhalaaiyo se nawaze Jane ka Bahut bada zariya hai , Ek Hadees mai irshad hai k Surah Fatiha mai Har marz se Shifa hai , *( Daarmi )*
┱ Surah Fatiha ke 10 naam hai'n Jinme se ek Naam Kaafiya aur Doosra Shaafiya hai ,isko padhti raha karo , Bachcho ko sikhaao aur Padho aur Padhao ,
                   ┗═════════════════✿
*┱✿ Surah Kahaf Ki Fazilat_,*
┱ Surah Kahaf 15 ve Pare mai hai , Is Soorat ko padhne ki bahut Fazilat waarid hui hai, Hazrat Abu Saied Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k jisne Juma ke din Surah Kahaf Padh li Uske liye dono Jumo ke darmiyan Noor Roshan rahega _,"
* Bayhiqi fil Da'awaatul Kabeer _,*
┱ Yani uska Dil Munawwar rahega ya ye matlab hai k Juma ke din ek baar iske Padh lene se uski qabr mai baqadr ek hafte ke Roshni rahegi , Agar koi har Juma ko padh liya kare to use maut ke baad bhi Noor hi naseeb hoga , Go tamaam A'amaal e Saleha hi Roshni ka sabab Hai'n ,
┱ Hazrat Abu Daowd Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasoole Akram Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jisne Surah Kahaf ke awwal ki Teen Ayaat padh le WO Dajjaal ke Fitne se mehfooz rahega _,"
* Ravaah Tirmizi _,"*
                   ┗═════════════════✿
*┱✿ Surah Yaseen Ki Fazilat _,*
"__  Hazrat Ataa bin Abi Rabah ( Taaba'i ) farmate hai'n k mujhe ye Hadees Pahunchi hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jisne Din ke awwal hisse mai Surah Yaseen Sharif padh li uski haajate poori kar di jayegi _,"
* Mishkaat Sharif _,*
┱ Ek aur Hadees mai hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k jisne Surah Yaseen Allah ki Raza ki niyat se padhi Uske Pichhle gunaah maaf ho jayenge Lihaza tum ise Apne Mauta ( Yani jiski maut ka waqt qareeb ho ) ke Paas beth kar padho _,"
* Mishkaat Sharif _,"*
┱ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k har cheez ka ek Dil hota hai aur Qur'an ka Dil Surah Yaseen hai Jisne Yaseen ( ek martaba ) padhi Allah Uske Padhne ki vajah se Uske liye Das martaba poora Qur'an Sharif padhne ka Sawab likh dega _,"
* Mishkaat Sharif _,"*
            ┗═════════════════✿
*┱✿ Do Soorte'n Azaabe Qabr se Bachane Wali Hai'n_,*
┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Qur'an Sharif mai ek Soorat hai jisme Tees Ayaat hai'n , isne ek Shakhs ki Yaha'n tak Sifarish ki k WO Bakhsh diya gaya , Ye Soorat Tabarakallazi Bi Yadi hil mulk hai ( Jo unteesve pare ki pehli soorat hai ) _,"
* Tirmizi, Nasaa'i _,*
┱ Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Raat ko us waqt tak nahi sote they jab tak k Surah Alif Laam Meem Tanzeel aur Surah Tabarakallazi Bi Yadi hil Mulk na padh lete they _,"
* Tirmizi , Daarmi _,*
"__Surah Alif Laam Meem Tanzeel 21 ve Pare mai hai ,Jise Alif Laam Meem Sajdah bhi kehte Hai'n ,
┱ Hazrat Khalid bin M'adaan Reh. ( Taaba'i ) ne farmaya k mujhe ye baat maloom hui hai k ek Shakhs Surah Alif Laam Meem Sajdah padha karta tha iske Siva ( bator Vird ) koi doosri soorat na padhta tha aur tha bhi bahut gunahgaar ,Jab Qabr mai Azaab hone laga to isi soorat ne us Shakhs per apne Par fela diye aur arz kiya k Ey Rab iski magfirat farma de Kyunki ye mujhe Zyada padha karta tha , Chunache Khuda wand Quddus ne uski sifarish qubool farma li aur farmaya k iske liye har gunaah ke badle ek ek neki likha do aur ek ek darja buland kar do ,
"__Unhone ye bhi farmaya k ye Soorat Apne padhne wale ki jaanib se Qabr mai jhagda karegi aur Allah Ta'ala se arz karegi k Ey Allah agar mai Teri kitaab se hu'n to iske bare mai meri sifarish qubool farma agar mai Teri kitaab Se nahi hu'n to mujhe Apni kitaab se mita de , Ye bhi farmaya k ye Soorat Parinde ki tarah apne par fela degi aur Sifarish karegi aur Azaabe Qabr se bacha degi , Jo Jo Kuchh Fazilat Surah Alif Laam Meem Sajdah ki batayi ye Fazilat aur Khususiyat Tabarakallazi Bi Yadi hil Mulk ki bhi batayi hai _,"
* Mishkaat  Daarmi ,* 
┱ Ek Hadees mai hai k ek Sahabi ne ek Qabr per Khaima laga liya unhe Pata na tha k Yaha'n Qabr hai , Waha'n se unko Surah Tabarakallazi Bi Yadi hil Mulk padhne ki Awaaz aayi , Padhne wale ne Jo Sahibe Qabr tha ye Soorat Padhte Padhte khatm kar di , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazir ho kar ye Waqi'a arz kiya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Ye Soorat Azaab ko rokne wali hai Allah ke Azaab se use nijaat dila degi _,"
* Tirmizi _,*
                ┗═════════════════✿
*┱✿ Surah Ikhlaas Ki Fazilat _,*
┱ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Surah "iza zulzilatil ardh" nisf Qur'an ke barabar hai aur Surah "Qul huwallahu Ahad" tihaai Qur'an ke barabar hai aur Surah " Qul Ya hayyu AL Kaafiroon " Chothaai Qur'an ke barabar hai _,"
* Tirmizi _,*
┱ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ne farmaya k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka irshad  hai k Jisne rozana do so martaba Surah Qul huwallahu Ahad padh li Uske Pachaas Saal ke gunaah ( Sageera ) A'amaal naame se mita diye jayenge , Haa'n agar Uske ouper kisi ka qarz ho to maaf na hoga ,
"__ Neez Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ne Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad naqal kiya hai k Jo Shakhs Bistar per Sone ka iraada kare aur Dahini karwat per let kar So martaba Qul huwallahu Ahad padh le to Qayamat ke din Allah Jal Shanhu ka irshad hoga k Ey mere Bande tu Apni Daayi jaanib Se jannat mai dakhil ho ja _,"
* Tirmizi _,"*
┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ek Shakhs ko Soorat Qul huwallahu Ahad padhte hue sun liya , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ( Uske liye ) Waajib ho gayi , Maine puchha kya ? Farmaya :- Jannat _,"
* Tirmizi v Nasaa'i _,*
┱ Ek Shakhs ne arz kiya Ya Rasulullah ! Mai is Soorat yani Qul huwallahu Ahad se Muhabbat rakhta hu'n, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- iski Muhabbat ne tujhe jannat mai dakhil kar diya _,"
* Tirmizi _,*
             
┱ Hazrat Saied bin Musayyib Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k jisne Das martaba Qul huwallahu Ahad padh li Uske liye jannat mai ek mahal bana diya jayega aur Jisne Bees martaba padhi Uske liye jannat mai Do Mahal bana diye jayenge aur Jisne Tees martaba padhi Uske liye Jannat mai Teen Mahal bana diye jayenge ,
Ye sun kar Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne arz kiya:- Ya Rasulullah ! Allah ki qasam is Soorat mai to hum apne bahut Zyada Mahal bana lenge ," 
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya Allah bahut bada daata hai Jitna Amal kar loge Uske Paas usse bahut Zyada in'aam hai _,"
* Daarmi Mursala _,*
     ┗═════════════════✿
*┱✿ Tasbeeh v Tehleel Ka Hukm aur Ungliyo'n Per Padhne ki Fazilat,*
┱ Hazrat Yusairah Raziyallahu Anhu bayan farmati hai'n ( Jo un muqaddas Khawateen mai se hai'n jinhone Raahe khuda mai hijrat ki thi ) k Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne hum ( Chand Khawateen ko khitaab kar ke ) farmaya k Tum tasbeeh v tehleel aur taqdees ki pabandi rakho aur ungliyo'n per padha karo kyunki inse daryaft kiya jayega ( aur jawab dene ke liye ) unko bolne ki qudrat di jayegi aur Tum ( zikrullah se ) gaafil na ho Jana varna Rahmat se bhula di jaaogi _,"
* Mishkaat ul Masabeh -202 Ba hawala Tirmizi v Abu Daowd _,*
*┱ Tashreeh_*  Aurte'n Zubaan ke maamle mai bahut Zyada be ahatyaat hoti hai'n unko khusoosi khitaab farmaya Tasbeeh v tehleel aur taqaddus mai lagi raha karo , Tasbeeh Subhanallah kehne ko aur Tehleel Laa ilaaha illallah kehne ko kehte Hai'n, inke bade bade Ajro Sawab Sawab hadees mai waarid hue hai'n , Taqaddus Allah Ta'ala ki Paaki bayan karne ko kehte Hai'n ,
┱ Doosri Nasihat ye farmayi k Tasbeeh ungliyo'n per Shumaar kiya karo , fir iski hikmat ye hai k Qayamat ke din ungliyo'n ko bolne ki taaqat di jayegi aur unse sawal hoga , Jisne zikrullah ke liye istemal kiya hoga Uske Haq mai gawahi dengi ,
┱ Teesri nasihat farmayi k Zikrullah se gaafil na hona chahiye varna Rahmat se bhula di jaaogi ,Yani Allah Ta'ala ki Khaas Rahmato aur Barkato se Mehroon hona padega , Zikrullah badi Anmol ni'amat hai aur Aakhirat ke bade bade darjaat iske zariye mil sakte hai'n aur isme kharch bhi Kuchh nahi hota ,Ba-Wazu hona bhi shart nahi balki Gusl farz ho ya Khaas dino ka zamana ho tab bhi Zikrullah kar sakti hai'n ,Haa'n un dono haalato mai Qur'an Sharif padhne ki ijazat nahi ,
             
        
      ┗═════════════════✿

*┱✿ Zaakir Har Bhalaai le gaye _,*

┱ Ek Shakhs ne Sawal kiya - Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam! Kon se Mujahid ka bada Ajr hai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - Jo unme se khuda ta'ala ko bahut yaad karta ho ,

Fir un Sahab ne daryaft kiya k - Saleheen mai kiska bada Ajr hai ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k - Unme Jo Allah Ta'ala ko bahut yaad karta ho ,
Fir un sahab ne namaziyo ,Zakaat dene walo ,Haajiyo aur Sadqa dene walo ke mutalliq bhi yahi Sawal kiya aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne yahi jawab diya ,

"__ Ye Sawal v Jawab Sun kar Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko khitaab kar ke farmaya k Ey Abu Hafs Zikr karne wale to har Bhalaai le ude ,is per Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k - Ji haa'n _,"

*📁 Targeeb _,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Allah Ta'ala farmate hai'n k mai'n us waqt tak Bande ke saath rehta hu'n Jab tak WO mujhe yaad karta hai aur meri yaad mai uske hont hilte rahe _,"

*📁 Bukhari _,*

      ┗═════════════════✿

*┱✿ Dil Ki Safaai aur Khuda Ki Baargah mai Tazkira___,*

┱ Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai k gaafilo mai Zaakire Khuda Ki misaal esi hai jese ( Maidane Jung se ) bhaag Jane walo ke baad koi Jihaad karne wala ho ,

Aur Gaafilo mai Zaakire khuda Ki misaal esi hai jese ek sabz tehni Kisi  sookhe darakht mai ho,

Aur Gaafilo mai Zaakire khuda Ki misaal esi hai jese Andhere mai chiraag rakha hua ho aur Gaafilo mai rehte hue Khuda Ki yaad mai mashgool rehne wale ko Allah Ta'ala zindgi hi mai uska muqaam jannat mai dikha dega aur Gaafilo mai khuda Ki yaad karne wale Ki magfirat har Faseeh aur har Aajam Ki tadaad mai hoti hai _," 
( Faseeh se Jinn aur insaan aur Aajam se Jaanwar muraad hai'n ),

*📁__Mishkaat __,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Allah Tabarak Wa Ta'ala farmate hai'n k mai'n  Bande ke gumaan ke paas hota hu'n ( Jo gumaan WO mujhse rakhe ) aur uske saath hota hu'n jab WO mujhe yaad karta hai ,So agar WO mujhko tanhaai mai yaad karta hai to mai'n bhi usko tanhaai mai yaad karta hu'n aur Jab mujhko jama'at mai yaad karta hai to mai'n bhi usko jama'at mai yaad karta hu'n Jo uski jama'at se behtar hoti hai __," ( Yani farishto Ki jama'at mai ) 

*📁 Bukhari ___,*
            
      ┗═════════════════✿

*┱✿ Duniya mai Didaare Jannat aur Khuda Ki Baargah mai Tazkira___,*

┱ Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai k gaafilo mai Zaakire Khuda Ki misaal esi hai jese ( Maidane Jung se ) bhaag Jane walo ke baad koi Jihaad karne wala ho ,

Aur Gaafilo mai Zaakire khuda Ki misaal esi hai jese ek sabz tehni Kisi  sookhe darakht mai ho,

Aur Gaafilo mai Zaakire khuda Ki misaal esi hai jese Andhere mai chiraag rakha hua ho aur Gaafilo mai rehte hue Khuda Ki yaad mai mashgool rehne wale ko Allah Ta'ala zindgi hi mai uska muqaam jannat mai dikha dega aur Gaafilo mai khuda Ki yaad karne wale Ki magfirat har Faseeh aur har Aajam Ki tadaad mai hoti hai _," 
( Faseeh se Jinn aur insaan aur Aajam se Jaanwar muraad hai'n ),

*📁__Mishkaat __,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasoole Khuda Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Allah Tabarak Wa Ta'ala farmate hai'n k mai'n  Bande ke gumaan ke paas hota hu'n ( Jo gumaan WO mujhse rakhe ) aur uske saath hota hu'n jab WO mujhe yaad karta hai ,So agar WO mujhko tanhaai mai yaad karta hai to mai'n bhi usko tanhaai mai yaad karta hu'n aur Jab mujhko jama'at mai yaad karta hai to mai'n bhi usko jama'at mai yaad karta hu'n Jo uski jama'at se behtar hoti hai __," ( Yani farishto Ki jama'at mai ) 

*📁 Bukhari ___,*

      ┗═════════════════✿

*┱✿ Dil Ki Safaai ___*

┱ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam irshad farmaya karte they k har cheez Ki Safaai hoti hai aur Dil Ki Safaai Allah Ki yaad hai aur zikr se zyada koi cheez Allah ke azaab se bachane wali nahi ,

Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz kiya - Ya Rasulallah ! Kya Jihaade Fi Sabilillah bhi is qadar Allah ke azaab se nahi bachata jis qadar Zikr ke zariye bachaav hota hai ,?

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - Haa'n Jihaade fi sabilillah bhi is qadar Allah ke azaab se nahi bachata agarche maarte maarte Mujahid Ki talwaar kyu na toot jaye _,"

*📁 Bayhiqi __,*

┱ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya hai k Jo Shakhs tumme se Raat ko jaag kar takleef bardasht karne se aajiz ho aur Maal kharch karne mai bukhl karta ho aur Dushman ke saath Jihaad karne se buzdili karta ho usko chahiye k Allah ka Zikr bahut kare __,"

*📁 Tabrani __,*

┱ Hazrat Abu Moosa Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya hai k agar ek Shakhs Ki goad mai Rupiya ho jinko taqseem karta ho aur Doosra Shakhs Khuda ka Zikr karta ho to Ye Zikr karne wala hi Afzal rahega _,"

*📁 Targeeb __,*

      ┗═════════════════✿

*┱✿ Nida E Magfirat __,*

┱ Hazrat Abu Saied Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Duniya mai bahut se log bichhe hue Bistaro per zaroor ba zaroor zikrullaah karenge aur ( WO Zikr ) unko buland darjo mai dakhil kar dega _,"

*📁 Targeeb _ ,*

┱ Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai k Jab Kuchh log Allah ka Zikr karne ke liye Jama ho jaye aur unki garz isse sirf Raza e Khuda ho to ( khuda ka ) munaadi Asmaan se awaaz deta hai k uth jao bakhshe bakhshaye aur Maine tumhari buraiyo'n ko nekiyo'n mai badal diya _,"

*📁 Targeeb __,"*

┱ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai k qayamat ke roz Allah Ta'ala zaroor ese logo ko uthayega jinke chehro per Noor hoga ( aur ) WO motiyo'n ke minbaro per bethe honge aur ye hazraat na Nabi honge na Shaheed honge ( aur ) Sab log in per rashk karte honge ,

( Ye sun kar ) Ek Arabi Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saamne dozaanu beth gaye aur arz kiya k Hazrat unke ausaaf bata dijiye ( taki ) hum unko pehchan le ,

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k ye WO hazraat honge ( Jinme koi rishta naata na hoga aur ) Jo mukhtalif qabilo aur Shehro ke honge ( aur iske bavjood ) Allah ke liye aapas mai muhabbat karte they ( aur ) Allah Ki yaad ke liye Jama hua karte they __,"

*📁 Targeeb __,"*
      ┗═════════════════✿

*┱✿ Duniya aur Aakhirat Ki Khair v Jannat ke Bagaat_*

┱ Rahmate Qaynaat Hazrat Rasoole Kareem Sallallahu Alaihivasallam ka irshad hai k Chaar cheeze jisko di gayi usko Duniya aur Aakhirat Ki Bhalaai de di gayi ,( WO Chaar cheeze ye hai'n )
1- Shukr guzaar Dil ,2 - Khuda ka Zikr karne wali zubaan , 3- Bala per Sabr karne wala Badan ,4- aur Apne nafs aur uske maal Ki hifazat karne wali Bivi _,"

*📁 Targeeb _,*

┱ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ( Apne Sahaba Raz.se) irshad farmaya k Jab Jannat ke Baago per guzro to khaya piya karo , 
Sahaba Raziyallahu anhum ne arz kiya k jannat ke Baagiche konse hai'n ? 
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Zikr Ki Majlise hai'n _,"

*📁 Eyza _,*

"__Khane pine ka matlab ye hai k in Baagicho mai jaa kar Baagicho walo Yani Zikr karne walo ke Amal mai Shareek ho jao Yani Zikr karne lago _,"

┱ Rahmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya - koi Amal Bande ko is qadar khuda ke azaab se nahi bachata jis qadar Khuda Ki yaad bachati hai _,"

*📁 Tirmizi _,*

"__ Yani saare nek Amaal khuda ke azaab se nijaat dilane ka zariya hai'n magar in Sab mai se Afzal Zikrullah hai Jiske barabar koi Amal nahi ,isse badh kar Azaabe ilaahi se bachane wala ho aur koi Amal nahi ,
              
*┱✿ Arshe ilaahi ke Saaye mai __,*

┱ Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka farmaan hai k Saat Shakhs ese hai'n Jinko khuda wand Ta'ala Apne Saaye mai rakhega Jabki uske Saaye ke alawa koi Saaya na hoga _
1- Munsif musalman Baadshah ,
2- WO Jawan Jo Allah Ta'ala Ki ibaadat mai pala badha ,
3- WO Shakhs Jiska Dil Masjid mai atka rehta hai ,
4- Aur WO Shakhs Jinhone aapas mai Allah ke liye muhabbat rakhi aur usi per mulaqaat Ki aur usi per Juda hue ,
5- WO Shakhs Jisko Kisi Sahibe Martaba aur Haseen Aurat ne ( bure kaam Ki ) Dawat di aur usne ( kora ) jawab diya k mai'n Allah se darta hu'n ,
6- WO Shakhs Jisne Daahine haath se Sadqa kiya aur usko Poshida rakha hattaki uska Baaya haath bhi nahi jaanta k Daahine haath ne kya kharch kiya ,
7- WO Shakhs Jisne Tanhaai mai Khuda ko Yaad kiya aur Uske Aansu beh pade _,"

*📁 Bukhari Sharif _,*

      ┗═════════════════✿

*┱✿ Murda aur Zinda __,*

┱ Hazrat Abu Moosa Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Hazrat Sarware Aalam Sallallahu Alaihivasallam ne irahad farmaya k misaal us Shakhs Ki Jo Apne Rab ko yaad kare aur uski misaal Jo Apne Rab ko yaad na kare Zinda aur Murde Ki misaal hai __,"

*📁 Bukhari Sharif __"*

"┱__ Yani Khuda Ki yaad mai mashgool rehne wala zinda hai aur Zikr se gaafil rehne wala murda hai , Zaakir ko Allah Ta'ala ka khaas talluq haasil hota hai ,WO dono Aalam mai Aman v Chain Ki zindgi basar karte hai'n ,

┱ Zaakir bar aks WO log Jo hai'n jinko Duniya v Aakhirat ka hosh nahi unka baatin murda aur Ganda aur zaahir murjhaya hua rehta hai , Ba-Zaahir WO jaandaar maloom hote hai'n magar Bandgi Ki rooh se kore aur khaali hote hai'n , insaani Soorat aur  dhaancha zaroor inke paas hota hai magar unki zindgi be sood aur be faayda hoti hai Jis tarah Murda , Unme se kabhi Kisi ko thodi bahut Duniya to mil jati hai magar Aakhirat Ki gaflat unko Duniya mai rehte hue murda bana deti hai , 
 
      ┗═════════════════✿

*┱✿ Namaze Fajar aur Asr ke baad Zikr Ka Sawab  _,*

┱  Hazrat Anas Raziyallahu Anhu ka bayan hai k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jo Shakhs Subeh ki Namaz Ba-jama'at padhe fir Suraj nikalne tak betha hua Allah ko yaad karta rahe fir Do Raka'ate padhe to usko Poore ek Hajj aur Ek Umre ka Sawab milega _,*

*📁 Tirmizi __,*

┱ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Namaze Fajar ke baad Suraj nikalne tak ChaarZaanu ( Paalti maar kar ) bethe rehte they aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Namaze Fajar aur Asr ke baad Yaade Khuda mai Mashgool hone ki Targeeb di hai aur is bare mai bahut si Fazilato se ba khabar kiya hai , Chunache ek Hadees mai hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya hai Mujhe ismaiyl Alaihissalam ki Aulaad mai se Chaar gulaam Azaad karne se zyada Mehboob hai k zaroor un logo ke saath beth jau'n Jo Fajar ki Namaz ke baad se Suraj nikalne tak Allah ko yaad karte rahe aur Chaar gulaam azaad karne se mujhko ye bahut zyada pasand hai k zaroor un logo ke saath beth jau'n Jo Asr ki Namaz se Suraj Chhupne tak Allah ko yaad karte rahe __"

*📁 Abu Daowd Sharif _,*

┱ Ek Hadees mai hai k Jo Shakhs Fajar ki Namaz padh kar betha betha Suraj nikalne tak Allah ko yaad karta rahe to uske liye Jannat waajib hogi __,"

*📁 Targeeb v Tarheeb _,*

┱ Rivayat mai hai k Jis jagah Namaze Fajar Ba-Jama'at padhi ho usi jagah betha hua Zikr karta rahe , Aurte'n ghar mai Namaz padhti hai WO bhi Zikr ka ahatmaam kare , Musalle per bethi bethi Zikr karti rahe aur ishraaq padh kar uthe ,Ajre Azeem payengi in Sha Allah , Agar Kisi vajah se musalla chhodna pade to bhi Zikr karti rahe ,Fajar aur Asr ke baad Zikr ka khaas waqt hai aur iski bahut hi fazilat hai ,

"__ Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya hai k Jisne Khuda ka Zikr bahut kiya WO nifaaq se bari ho gaya __,"

*📁 Targeeb v Bayhiqi _,*              

      ┗═════════════════✿

*┱✿ Zikr Chhodne Per Waiede'n v  Daant _,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jab Kuchh log kisi jagah ( Bethe ho fir waha'n ) se uth kar khade hue aur us Majlis mai Allah ka Zikr na kiya to goya woh Murda Gadhe ko chhod kar uthe aur Ye majlis ( Aakhirat mai ) unke liye baa'ise hasrat hogi _,"

*📁 Ahmad v Abu Dowd _,*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jo Shakhs kisi bethne ki jagah betha aur usne us jagah Allah ka Zikr na kiya to Allah Ta'ala ki jaanib se uska ye bethna uske liye nuqsaan ka sabab hoga aur Jo Shakhs kisi jagah leta aur usne us letne mai ( Avval se Aakhir tak kisi waqt bhi ) Allah ka Zikr na kiya to uska ye letna Allah ki jaanib se nuqsaan ka baa'is hoga _,"

*📁 Abu Dowd Sharif _,*

"__Aur Jo Shakhs kisi jagah chala aur usne chalne ke darmiyan Allah ka Zikr nahi kiya to uske liye ye chalna nuqsaan ka sabab hoga _,"

*📁 Zadah Fil Targeeb _,*

┱ Hazrat Umme Habeeba Raziyallahu Anha se rivayat hai k Rahmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k insaan ki har baat uske liye Wabaal hai ( aur ) uske liye nafa ki cheez nahi hai ,magar ( nafa ki cheez ye hai'n ) -
 1 _ Kisi Bhalaai ka hukm karna ,
 2_ Kisi Buraai se rok dena ,
 3_ Ya Allah Ta'ala ka Zikr karna ,

*📁  Tirmizi Sharif_,*

      ┗═════════════════✿

*┱✿ Laanat se Kon Mehfooz hai ?*

┱ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Khabardaar bila Subha saari Duniya mal'oun hai aur isme Jo Kuchh hai WO bhi mal'oun hai Sivaye Allah Ta'ala ke Zikr ke aur Jo Zikrullah ke taabe hua aur Aalime Deen aur ( Deen ka ) Taalibe ilm _,"

*📁 Tirmizi _*

┱ Matlab ye hai k Duniya ki har cheez mardood hai ,Allah Ta'ala ki rehmat se door hai , Allah ke yaha'n na-maqbool hai chahe kitni hi khoobsurat ho ,Allah ka Ta'ala ka Zikr aur WO cheez Jo Allah Ta'ala ke yaha'n maqbool hai Jo Zikrullah ke taabe ho ,Yani Allah Ta'ala ki farmabardaari aur khushnudi ke liye Jo Kuchh ho WO Sab maqbool hai ( ba Sharte k Bid'at na ho ) ,

┱ Jese Allah ke Raaste mai halaam maal kharch karna ,Deeni madarse kholna ,Masjid banana ,gareebo ko khana khilana ,Kapde pehnana ,Kitaabe likhna ,Baal Bachcho ki parwarish karna ,Maa'n Baap ke huqooq ada karna vagera vagera ,Deen ka ilm haasil karna aur Deen ka ilm seekhne ke liye mehnat karna ,safar karna ye Sab laanate khudawandi se mehfooz hai aur Allah Ta'ala ke yaha'n maqbool v Mehboob hai,

┱ Ulma farmate hai'n k Jo Shakhs bhi Allah Ta'ala ki farmabardaari mai laga hua ho zubaan se Ya Dil se ya Amal se Allah ke kaam mai ya Allah ke Naam mai ,Jo mashgool hai WO Zaakir hai ,Gaafilo mai Shumaar nahi ,
              
      ┗═════════════════✿

*┱✿ Tasbihaate Faatima Raziyallahu Anha_,*

┱ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ka bayan hai k ( Ek baar ) Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazir hui aur Chakki Peesne ke nishan Jo unke haatho mai they Unko dikha kar Apni takleef zaahir karne ka iraada kiya ,( maqsad ye tha k Koi Gulaam ,Baandi mil jaye ) aur Vajah ye thi k Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ne suna tha k Aaj kal Aap Sallallahu Alaihivasallam ke paas Kuchh Gulaam aaye hue hai'n ,

┱ Hazrat Sayyadina Fatima Raziyallahu Anha jab Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Daulat Kadhe per pahunchi to Waha'n Aap Sallallahu Alaihivasallam tashreef na rakhte they, Lihaza mulaqaat na ho saki ( Jiski Vajah se ) Apni marooz ( Darkhwast ) Hazrat Aayesha Raziyallahu Anha se keh aayi ,Jab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam tashreef laye to Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ne arz kar diya k Hazrat Fatima Raziyallahu Anha tashreef layi thi WO esi esi baat keh gayi hai'n ,

┱ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ye baat sun kar Aap Sallallahu Alaihivasallam Raat ko hamare paas tashreef laye ,us waqt hum( dono Miya Bivi ) sone ke liye let chuke they, ( Aap Sallallahu Alaihivasallam ke ahatraam ke liye ) uthne lage to farmaya tum dono apni apni jagah per raho , Hamare qareeb tashreef laye aur mere aur Sayyadina Fatima Raziyallahu Anha ke darmiyan tashreef farma ho gaye ,aur itne qareeb mil kar beth gaye k Mubarak qadam ki thandak mujhe Apne pet per mehsoos ho gayi ,

┱Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k kya mai'n tum dono ko usse behtar na bata du Jo tumne mujhse Sawal kiya ? Tum ESA kiya karo k ( Raat ko ) Sone ke liye leto to 33 martaba "Subhanallaah " 33 martaba "Alhamdulillah " aur 34 martaba " Allahu Akbar " keh liya karo , Ye tumhare liye Khaadim se behtar hai _"

*📁 Mishkaat Sharif -209 Ba Hawala Bukhari v Muslim_,* 
              
      ┗═════════════════✿

*┱✿ Tasbihaate Faatima Raziyallahu Anha_(Tashreeh Hadees)*

┱ Muslim Sharif ki ek rivayat mai hai k Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ko is moqe per ( Farz ) Namaz ke baad bhi tasbihaat padhne ko irshad farmaya , Farz Namaz ke baad aur Sote waqt in Tasbihaat ko paabandi se padhna chahiye ,

┱ Buzurgo ne bataya hai aur Tajurba kiya gaya hai k Chunki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne khaadim dene ke bajaye Sote waqt in tasbihaat ke padhne ko irshad farmaya tha ,isliye sote waqt inko padhne se ek tarah ki quwwat haasil hoti hai aur Din bhar ki thakan aur Mehnat kaam kaaj ki dukhan door ho jati hai ,

┱Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya k jabse maine ye wazifa Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se suna kabhi isko tark nahi kiya , Albatta Jange Siffeen ke moqe per bhool gaya tha fir Aakhir Raat mai yaad aaya to in Kalimaat ko padha _,"

*_📁 Abu Daowd _*

"__ Siffeen ek Jagah ka Naam hai Waha'n Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Hazrat Muawiya Raziyallahu Anhu ke darmiyan Jang hui thi , isliye ise Jange Siffeen kehte hai'n ,

┱ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke is Amal se ye bhi maloom hua k Aksar Shuru Raat mai Sote waqt padhne se ye tasbihaat reh jaye to baad mai jab bhi yaad aa jaye ya moqa mile Raat ko kisi bhi waqt padh li jaye ,
              
           ┗═════════════════✿
*┱✿ Tasbihaate Faatima Raziyallahu Anha_(Tashreeh Hadees)* ┱ Muslim Sharif ki ek rivayat mai hai k Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ko is moqe per ( Farz ) Namaz ke baad bhi tasbihaat padhne ko irshad farmaya , Farz Namaz ke baad aur Sote waqt in Tasbihaat ko paabandi se padhna chahiye , ┱ Buzurgo ne bataya hai aur Tajurba kiya gaya hai k Chunki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne khaadim dene ke bajaye Sote waqt in tasbihaat ke padhne ko irshad farmaya tha ,isliye sote waqt inko padhne se ek tarah ki quwwat haasil hoti hai aur Din bhar ki thakan aur Mehnat kaam kaaj ki dukhan door ho jati hai , ┱Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne farmaya k jabse maine ye wazifa Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se suna kabhi isko tark nahi kiya , Albatta Jange Siffeen ke moqe per bhool gaya tha fir Aakhir Raat mai yaad aaya to in Kalimaat ko padha _," *_📁 Abu Daowd _* "__ Siffeen ek Jagah ka Naam hai Waha'n Hazrat Ali Raziyallahu Anhu aur Hazrat Muawiya Raziyallahu Anhu ke darmiyan Jang hui thi , isliye ise Jange Siffeen kehte hai'n , ┱ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ke is Amal se ye bhi maloom hua k Aksar Shuru Raat mai Sote waqt padhne se ye tasbihaat reh jaye to baad mai jab bhi yaad aa jaye ya moqa mile Raat ko kisi bhi waqt padh li jaye , ┗═════════════════✿ *┱✿ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Ghar Ka Kaam Kaaj Khud karti thi_,* ┱ Doosri Rivayat mai hai k Hazrat Fatima Raziyallahu Anha sirf Chakki hi nahi peesti thi balki Paani ka maahkiza bhi bhar kar lati thi ,Jiske nishanaat unke seene mai pad gaye they Aur Apne ghar mai Jhaadu bhi khud hi deti thi , Jisse kapde gubaar mai bhar jate they aur Haandi ke niche aag bhi khud jalati thi Jisse unke Kapdo ka rang dhue'n ke asar se syaah ho jata tha , ┱ Jab Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam se Apni Mehnat v Mashaqqat aur Takleef ki Shikayat kar ke gulaam ya baandi ki darkhwast ki to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unko na Gulaam diya na Baandi ataa farmayi balki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye farmaya k Jo Gulaam Baandi aaye they WO tumse pehle Shohda e Badar ke yateem Bachche le gaye , *📁 Abu Daowd -,* ┱Dooari rivayat mai hai k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ali Raziyallahu Anhu v Hazrat Fatima Raziyallahu Anha se farmaya k Khuda ki qasam esa na karunga k ye Gulaam Baandi tumko de du aur Ashaabe Suffa ko chhod du'n ,Jinke pet bhook se pechotaab kha rahe hai , Unki qeemat Ashaabe Suffa per kharch karunga , Fir unke paas Raat ko tashreef le gaye ,us waqt dono ek esi chhoti chaadar mai lete hue they k Sar dhaankte to Paanv khul jate aur Paanv dhaankte to Sar khul jata , Aapko dekh kar dono uthne lage ,Aapne farmaya apni jagah raho aur farmaya - Kya Tumhe is cheez se behtar na batau'n Jo tumne Sawal kiya hai ? Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Namaz ke baad aur Sote waqt mazkoora tasbihaat padhne ko farmaya , ┗═════════════════✿ *┱✿ Ghar mai Samaan Ki Kami Koi ayb nahi _,* ┱ Hazrat Sayyada Fatima Raziyallahu Anha dono Jahaan ke Sardaar ki Sabse pyaari Beti aur Jannat ki Tamaam Aurto'n ki sardaar hai'n, ghar ka kaam kaaj khud karti thi , Khane Pine ki bhi Kami rehti thi ,Ghar mai Samaan bas bahut hi mamooli tha , Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ek martaba dekha k Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ne zeenat ke liye umdah qism ke kapde ka parda darwaze per latka rakha hai ,to is per naraazgi ka izhaar farmaya aur irshad farmaya k ye mere ghar wale hai'n Mai'n ye pasand nahi karta k Apne hisse ki umdah cheeze isi zindgi ke andar kha le ," ( Mishkaat) ┱ Huzoore Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka Faqr akhtyari tha ,Apne ghar walo ke liye bhi isi ko pasand farmate they, Ek martaba Hazrat Fatima Raziyallahu Anha haazire khidmat hui aur arz kiya Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam mere aur Ali Raziyallahu Anhu ke paas sirf mendhe ki ek khaal hai ,Jis per hum Raat ko sote hai'n aur Din ko us per Ount ko chaara khilate hai'n, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - Ey meri Beti Sabr karo ,Kyunki Moosa ( Alaihissalam ) ne das ( 10 ) baras tak apni Bivi ke saath qayaam kiya aur dono ke paas sirf ek uba ( chaadar ) tha ( usi ko oadte aur usi ko bichhate they ) _," ( Sharah Muwahibul Duniya ) ┱ Aap Sallallahu Alaihivasallam chahte to Apni Pyari Sahabzadi ko ek gulaam ya Baandi inayat farma dete ,magar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne zarurat ka ahsaas farmaya , aur ESA Amal bataya Jo Aakhirat mai be-inteha ajro Sawab ka zariya bane ,Duniya ki fana hone wali takleef Aakhirat ke be - inteha in'amaat ke muqable mai bahut hi be Haqeeqat hai , ┱ Aaj Kal ki Aurte'n Khaas kar jinke Shoharo ke paas Chaar paise hai'n, Ghar ka kaam kaaj karne ko ayb samajhti hai'n , Naukar rakhe jate hai'n jinke nuqsanaat saamne aate hai'n ,Ghar ki Bahu betiya'n unke saamne aati hai'n, Sharmo hijaab ko taak per rakh diya jata hai ,Badi be Deeni ki baat hai , "_ Rivayat mai aata hai k ghar ke samaan ki Kami koi ayb aur Sharm ki baat nahi ,insaan ki asal sharafat uske achchhe Akhlaaq ,Umdah Awsaaf ,Khuda tarsi ,Ibaadat ki pabandi ,aur Taqwa v taharat ki zindgi hai , Umdah kapdo ,Bade bade banglo se Sofaset aur mez kursiyo se insaan ki koi sharafat nahi aa jati , Agar Namaz ki pabandi nahi ,Zakaat nahi dete ,to ye Koi badaai nahi ,aur agar ye Sab Haraam maal se ho to fir Dozakh mai le Jane ka zariya banega ,Samajhdaari yahi hai k Aakhirat ki fikr kare ,Fara'iz ko poore kare ,Haraam se bache , Jo Dozakh mai le Jane wale kaam kare WO kese bada Aadmi ho sakta hai ,? bada WO hai Jo Allah ki farmabardaari mai laga ho , ╙══════════╜
ReF✿┅╮    
*📁Tohfa E Khawateen,*
*                     
                  ╨───────────────────── 
                    ✍
        *❥ Haqq Ka Daayi ❥*
http://www.haqqkadaayi.com/search/label/Khawateen%20Column?m=0
*👆🏻Visit For All Updates,*
     ★
Teligram-https://t.me/haqqKaDaayi
★ ╒═━┅━┅┅━┅┅━┅┅━┅━┅━┅━┅* 
🍃🌸🍃

Post a Comment

 
Top