0
                                       

    *◑Bismillahirrahmanirraheem◐*
         ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
     *◐ JAB -AANKH - KHULEGI ◐*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Fir Rabb se Ja Milenge _,*   
          
○┅✧ Ey insaan ! Tu Apne Rab ke Paas pahunchne tak koshish kar raha hai , Fir usse ja milega _," *(Surah Al- inshiqaq ,6)*
○┅✧ Haq Ta'ala Shanhu ne hume Yaha'n bahut mukhtasar waqt ke liye bheja hai aur ye Zindgi Amal ke liye hai , Jesi karni wesi bharni , Achchha Amal karenge to achchha badla milega aur Khuda na khwasta bura Amal karenge to fir bura badla milega , Hum per kai marhale guzre hai'n aur kai marhale baqi hai'n ,Jesa k Allah Ta'ala ka irshad hai :-
"__ insaan per ek bahut bada waqt guzar chuka hai ,jabki wo qabile zikr cheez nahi tha _," *(Surah Ad-Dahar -1)*
○┅✧ Mere Paida hone se pehle ,mere Walden ki shadi hone se pehle koi mujhe nahi jaanta tha ,Koi tazkira nahi tha ,......kai Sadiya'n guzri ,koi cheez bhi nahi thi ,... Ek daur hamare ouper ye guzra ,
○┅✧Doosra hamare ouper guzra jab hum Apni Maa'n ke Shikam mai aaye ,Allah Ta'ala ne ajeeb nijaam banaya ,Qurban jaiye us qudrat per uski rehmat v inayat per Maa'n ke pet mai Allah Ta'ala ne saara nijaam fit kar diya kisi ko pata bhi nahi ,koi kharch nahi , Jab hum Maa'n ke pet mai they to us waqt hamari haalat esi thi k na Maa'n Baap ko pata tha k ye kya hai ,na khud hume pata tha , Hume to kya pata hota Chaar Mahine tak mukhtalif shakle badalte badalte hamare andar Rooh daali gayi ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Chaar Maah baad Rizq Likh diya Jata Hai _,*   
          
○┅✧ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat hai ,Wo farmate hai'n k hume Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne bayan farmaya Jo Sadiq v masdooq hai'n k Beshak tumme se har ek ko uski Maa'n ke raham mai Chalees Din tak nutfa ki shakl mai ,aur Chalees Din tak Jame hue khoon aur Chalees din tak gosht ke lothde ki shakl mai rakha jata hai,
┅Fir Allah Ta'ala fatishte ko bhejte hai'n Jo usme Rooh daalta hai ,aur use in Chaar cheezo ke likhne ka Hukm diya jata hai :-
1- iska Rizq kitna hoga ?
2- iski Zindgi kitni hogi ?
3- iski maut kab aur Kaha'n waq'a hogi ?
4- Aur ye k Woh nek bakht hoga ya Shaqi v Badbakht ....,"
*Sahih Muslim -6/332*
○┅✧ Farishta ye Sab Puchhta hai aur Puchhne ke baad fir Bachche mai Rooh daal di jati hai , Paanch Mahine is haalat mai Aadmi guzaarta hai , Fir farmaya :--
┅ Aur har insaan ,humne latka diya hai uski qismat ka parwana uski gardan mai , aur Qayamat ke din hum Uske liye ek kitaab kholenge ( ye uski naama e Amaal ki kitaab hogi ) Jisko WO faila huwa payega aur Kaha jayega :- Apni kitaab padh ,tu hi kaafi hai aaj ke din apna hisaab lene wala _,"
* Tarjuma Surah Bani Israiyl -Aayat 13 v 14 ,*
○┅✧Ab Aapki aur meri aur Duniya ke tamaam insaano ki Jo bhi qismat hai usko Allah Ta'ala ne parwane ki shakl mai gale mai latka diya , kitaab kya hai ,hamare Amaal Jo Kuchh bhi humne kiya hai ,Chhota ya bada ,tamaam ka tamaam likha huwa hai .....Allahu Akbar,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Insani Zindgi Ka Doosra Daur _,*   
          
○┅✧ Maa'n Ke Pet ka Daur Guzar gaya Uske baad Hum Duniya mai aa gaye , Ab yaha'n se Doosra Daur shuru ho gaya , Yaha'n humne is zameen per qadam rakha ,
○┅✧Mufti Muhammad Shafi Sahab Reh. Ma'arful Qur'an mai likhte hai'n k Bachcha Jab Paida hota hai to usko koi hunar nahi aata Us Waqt Aankhe bhi band hoti hai, thodi thodi kholta hai der ke saath Chand lamho ke baad kholta hai , Bolna nahi aata , Apne saath Kapda koi nahi laya balki nanga hota hai ,Koi cheez bhi to nahi Uske Paas , Maalik ne Paanch Mahine Rooh daalne ke baad rakha ,Kul No Mahine rakha , Ab jab Paida ho gaya to bolna nahi jaanta ,hilna nahi jaanta ,ab sirf ek Rone ka kaam aata hai bas ....., 
○┅✧ Bachche ko Sirf ek Hunar aata hai Rone ka aur koi hunar nahi aata , Bhook lage to Royega ,Dhoop lage to royega ,Sardi lage to royega ,Takleef ho to royega ,Garz ye k Bachche ki tamaam haajate sirf ek zariye se poori hoti hai aur WO hai "Rona ", Bachcha Jab Rota hai to Maa'n samajh leti hai k isko fala zarurat hai ,
○┅✧Ye Daur bhi guzra Uske baad hum Aahista Aahista rengne lage aur Kuchh arse ke baad bolne lage ,fir mukhtalif marhalo se hamara Bachpan guzar gaya aur Humne Jawani ki dehleez per qadam rakha ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Insani Zindgi ka Teesra Daur :- Jawani aur Budhapa ,*   
          
○┅✧ Hadees mai hai Jawani Junoon ki ek Shaakh hai , Jawani aayi to humne samjha k na Maa'n Baap ko aqal hai na doosre logo ko ,Duniya bhar mai Aqal sirf hamare Paas hai aur itni k Apni is Aqal ke zariye Allah aur Uske Rasool ka bhi muqabla karne lage ,Jawani Pukhta hui to Aqal bhi pukhta hui ,Ye Daur bhi guzar gaya, 
○┅✧ Chalees Saal ki Umar ko pahunche to Budhape ki Dehleez per pahunche , Ab rafta rafta ye haal ho raha hai k Aankhe hai'n magar dekhne ka kaam nahi kar rahi ,Kaan hai magar Sunayi nahi de raha ,Taange hai'n lekin bojh nahi uthta , Haath hai magar kaam nahi karte , Maida hai magar Hajam nahi hota , Kabhi fala takleef kabhi fala .., 
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Andekhi Manzile_____*   
          
○┅✧ Budhapa bahut badi niyamat hai , Budhape mai Jawani ki saari lazzate chhoot jati hai, Log usse Pareshan hote hai'n lekin Aarifeen kehte Hai'n k Budhapa Pareshani ki cheez nahi balki Niyamate Kubra hai ,
○┅✧ Avval - isliye k Duniya se be ragbati aur iski lazzato se airaaz Allah Ta'ala ko bahut Mehboob hai , Hum ESE kaha'n they k Duniya ki lazzato ko tark karte ? Allah Ta'ala ne Ahsaan farmaya k humsw Aalaate Lazzat chheen kar hume Duniya ki beragbati ka maza chakha diya , Subhanallah ...Kya Ahsaan hai k hum khud Duniya ko na chhod rahe to zabardasti humse Duniya chhudwa di , Jis tarah Maa'n zabardasti doodh chhuda deti hai ,
○┅✧ Dom - Ye k ab hum maut ki dehleez per khade hai'n, qabr mai paanv latkaye bethe hai'n , marte hi humse Duniya ki saari lazzate hi nahi balki khud Duniya hi chhoot jayegi , Budhape ke zariye Allah Ta'ala pehle hi iski Mashq ( Practice ) kara dete hai'n , 
○┅✧Som - Ye k Aadmi Budha ho kar Aakhirat ki taiyaari shuru kar deta hai kyunki Jaanta hai k ab Chala Jaunga , Tauba karta hai ,Gunaho ki maafi maangta hai ,Kotahiyo ki talafi karta hai ,Budhape ki badolat in cheezo ki Tofeeq ho jana Ahsaan e Azeem hai ,isliye Aarifeen kehte Hai'n " Budhapa Maut ka Qaasid hai _" aur Jab Qaasid bulawa le kar aa jaye to Aadmi ko chahiye k Sab Kuchh chhod kar Safar ki taiyaari kare ( Allah Ta'ala Tofeeq ataa farmaye ),
○┅✧Yaha'n tak ke marahil to humne dekh liye magar iske baad ke Jo marahil hai'n WO hamare saamne nahi , Ab sabse Pehle Maut ka marhala hai , Fir Qabr hai, Fir Hashr hai ,Fir hisaab kitaab ,Fir Pul siraat se guzarna hai ,Uske baad hamari Aakhri manzil aane wali hai, Jannat Ya Dozakh ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Pehli Manzil Maut ____,*   
          
○┅✧ Hamari ye kamzori hai k Jis haalat mai hum hote hai'n Uske aage ki hume soch nahi aati , Sabko maloom hai k marna hai ,Pehle ke log bhi mare hai'n Hum bhi marenge , Duniya ki har cheez mai ikhtilaf hai magar Maut mai koi ikhtilaf nahi , Tamaam Musalman aur Kaafir is baat per muttafiq hai'n k Aadmi marega , 
○┅✧Lekin hamari sabse badi bimaari ye hai k hum Zindgi ke  Jis Daur se guzar rahe hai'n usme hum ese ulajh kar reh gaye k Aage ki manzile humse ojhal ho gayi , Aur ye Haq Ta'ala Shanhu ka Ahsaan ,inayat uski rehmat uska fazal hai k Hamare Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko Allah Ta'ala ne Apne Paigamaat de kar bheja , Duniya ki Aakhirat ki koi khair esi nahi Jisko Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne bayan na farmaya ho aur Duniya aur Aakhirat ka koi Shar esa nahi Jisse Aap Sallallahu Alaihivasallam ne na daraya ho ,  
○┅✧ Abu Daowd Sharif ki Hadees hai - mai'n tumhare liye ba-manzila Baap ke hu'n ,Tumko taleem deta hu'n _,"  Yani Jis tarah Aulaad ke liye Baap hota hai Jo har har cheez ki taleem deta hai aur Waliden ki taleem nihayat ikhlaas wali hoti hai usme Apni moi garaz nahi hoti balki uska mansha Aulaad ki muhabbat v Shafqat hai , Yahi muhabbat taqaza karti hai k Aulaad ko har Aafat se bachaya jaye aur har Bhalaai ki taraf unki rehnumayi ki jaye ,
○┅✧ Aap Sallallahu Alaihivasallam Ummat ke liye Ba-manzila Baap ke hai'n aur Tamaam Ummat Aapki Aulaad hai , Aapko Apni Ummat ke saath esi muhabbat hai k Duniya bhar ki tamaam Maao'n ki mamta ko Jama kar liya jaye aur Tamaam Baapo ki Shafqat Jama kar li jaye to ye Sara majmua bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam ki muhabbat v Shafqat ka muqabla nahi kar sakta ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Bando per Allah Ta'ala ki Shafqat v inaayat _*   
          
○┅✧ Ek Hadees ( Mishkaat- 2017 ) ka Mafhoom hai k Haq Ta'ala Shanhu ne Apni Rehmat ke So hisse kiye hai'n unme se ek hissa Allah Ta'ala ne Duniya mai naazil farmaya aur Usko Jinno ,insaano ,Jaanwaro aur Hashraatul Arz ke darmiyan taqseem kar diya , Aur is Rehmat ke Sove hisse ka asar hai k insaan ,jinn, janwar bhi Aapas mai Shafqat karte hai'n aur isi hissa e Rehmat ki vajah se Vahshi Jaanwar aur Faad khane wale darinde bhi Apni Aulaad per Shafqat karte hai'n , 
○┅✧Farmaya Rehmat ka ye Sova hissa bhi khatm nahi hua  , Allah ki Rehmat kese khatm ho sakti hai ? Qayamat ke Din Allah Ta'ala is Sove hisse ko un Ninyaanve hisso ke saath mila kar Apni Kaamil Rehmat Apne Bando farmayenge, Apne Khaas Bando per yani Jannati logo per ,
○┅✧isse andaza ho sakta hai k Allah Ta'ala Apne Bando per Kis qadar Raheem v Kareem hai'n ,aur Unki Rehmat v Shafqat Kis qadar wasi'a hai ? Allah Ta'ala ke baad Qaynaat mai sabse Zyada Rauof Raheem Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki zaate aali hai ,
*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Maut Ka Kasrat Se Zikr Karo _,*   
          
○┅✧ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal karte hai'n k :- Lazzato ko khatm karne wali cheez Yani Maut ko Kasrat se yaad kiya Karo _," 
        *( Tirmizi -1/54)*
○┅✧ Duniya ki sari lazzate aur saari Khushiya is na-payedaar Zindgi tak mehdood hai ,Jab Rooh Badan ka rishta toot jayega to ye Aisho ishrat aur masarrat v Shaadmani Sare asbaab dhare reh jayenge , insaan ki gaflat ki vajah se Maut ka bhayanak chehra uski nazar se ojhal hai ,Agar ye gaflat ka gubaar chat jaye to Maut aur maut ke baad ka manzar Uske saamne rahe to is Duniya ki kisi cheez mai Dil na lage ,
○┅✧ Jis Chaheti Bivi ke liye Apne Deen ko bigaada ,Jis pyaari Aulaad ke liye Apni Aakhirat barbaad ki ,Jin Azeezo aqarib ki khatir Apni aaqbat se be parvaah they ,Unme se koi bhi to saath nahi dega , na Kothi bangla aur maal v daulat saath jayega , Qabr Ki tang v andheri kothri mai isko tane tanha Jana hoga ,Jis Jism ko banane Sanwarne per ghanto lagaya karta tha Chand Din baad gal sad kar Keedo ki khuraakh banega , Ye hai maut ka zaahiri naqsha ,
○┅✧ Baqi raha uski Roohani Sakhtiya'n ,Jaankani ka azaab ,Farishto ka saamna ,Qabr ke Azaab ki kaifiyat uska andaz to chashme tasavvur bhi nahi kiya ja sakta, Maut ko yaad rakhna bahut zaroori hai aur badi ibaadat bhi hai , Duniyavi pareshaniyo se nijaat ka ilaaj bhi hai ,Ye Aadmi ke liye taaziyana ibrat bhi hai ,Us Shakhs se bada badnaseeb koi nahi Jo Apni maut ko bhool jaye  ,Allah ta'ala hume sahi basirat ataa kare , Aameen,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Haq Ta'ala Shanhu Se Mulaqaat Ka Zariya Maut Hai_,*   
          
○┅✧ Hazrat Ubada bin Saamit Raziyallahu Anhu Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshad naqal karte hai'n k - Jo Shakhs Allah Ta'ala se mulaqaat ka ishtiyaq rakhe ,Allah Ta'ala uski mulaqaat ko pasand farmate hai'n aur Jo Shakhs Allah Ta'ala se mulaqaat ko na-pasand kare ,Allah Ta'ala bhi uski mulaqaat ko na-pasand farmate hai'n _,"
   *Tirmizi Sharif -2/55*
○┅✧ Is Hadeese Paak ki Tashreeh Aap Sallallahu Alaihivasallam ne khud hi irshad farma di hai , Sahih Bukhari ki hadees mai hai k Jab Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne ye irshad farmaya to Ummul Momineen Sayyada Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha ne arz kiya - Ya Rasulallah ! Maut ko to humme se har Shakhs na-gawaar samajhta hai , 
"__ matlab ye tha k Haq Ta'ala Shanhu se mulaqaat ka zariya to maut hai aur maut har Shakhs ko tab'an nagawaar hai to goya ba waasta Haq Ta'ala Shanhu Se mulaqaat bhi nagawaar hui ?
○┅✧iske Jawab mai Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - Ayesha ! Ye matlab nahi ,balki jab Momin ki maut ka waqt aata hai to use Haq Ta'ala ki razamandi aur karamat ki basharat  di jati hai ,Tab Uske liye isse badh kar koi cheez Mehboob nahi rehti aur WO Haq Ta'ala se mulaqaat ka mushtaaq ho jata hai aur Allah Ta'ala bhi usse mulaqaat ko pasand farmate hai'n,
,__Aur Jab Kaafir ki maut ka waqt aata hai to Use Allah Ta'ala ke Azaab v saza ki khabar di jati hai, Us waqt maut aur maut ke baad ki haalat se badh kar Uske liye koi cheez na-pasandida aur makrooh nahi hoti , Tab WO Allah Ta'ala se mulaqaat karne ko na-pasand karta hai aur Allah Ta'ala bhi usse mulaqaat ko pasand nahi farmate hai'n _,"
* Sahih Bukhari ,2/923*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Maut Ki Tamanna Ki Muma'anat_,*   
          
○┅✧ Hadeese Paak mai Maut ki tamanna se muma'anat farmayi gayi hai ,Chunache irshad hai :- 
"__...Tumme se koi Shakhs maut ki tamanna na kare ,kyunki agar woh nekikaar hai to Shayad woh Apni nekiyo'n mai izafa kar sake aur bad- kaar hai to mumkin hai use Tauba aur maafi ki Tofeeq ho jaye _,"
 *Sahih Bukhari ,2/1074*
○┅✧Ek aur Hadees mai hai k Allah Ta'ala se maut na maanga karo aur agar sawal karna hi hai to yu'n kiya karo :- 
"__ Ey Allah ! Mujhe Zinda rakhiye Jab tak Aap ke ilm mai mere liye wafaat behtar ho _,"
 *Tirmizi - 1/ 116_,*
○┅✧ Isliye Momin ki shan ye honi chahiye k WO har dam maut ke liye taiyaar aur Haq Ta'ala Shanhu se mulaqaat ka Mushtaaq rahe lekin maut ki darkhwast na kare balki Zindgi ki Jo mohlat use mayassar hai use ganimat samjhe ,Apni nekiyo'n mai izafa kare aur Jo gunaah sarzad ho gaye unse Tauba istigfaar karta rahe aur Jo huqooq Uske zimme waajibul ada hai unko ada karne ki fikr kare aur Jo huqooq zaaya kar chuka hai unki talafi ki koshish kare taki jab bhi bulawa aaye to Jane ke liye bilkul taiyaar betha ho ,Haq Ta'ala Tofeeq ataa farmaye _, 
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Maut Ka Farishta Tumhare Pichhe hai _,*   
          
○┅✧Hazrat Mujahid Reh.farmate hai'n k Hazrat Usman bin Affan Raziyallahu Anhu ne khutba diya ,usme irshad farmaya :- 
"__ Ey ibne Aadam ! Beshak Maut ka Farishta Jo tum per muqarrar kiya gaya hai WO hamesha tujhko chhod kar doosro ke Paas jata raha Jabse tu Duniya mai aaya hai ,aur bas yu'n samajh le k ab woh doosro ko chhod kar tere Paas aane wala hai aur woh tere iraade se chala hai ,
Lihaza Apne bachaav ka samaan kar lo , uski taiyaari kar lo ,gaflat na karo ,isliye k tujhse gaflat nahi ki ja rahi , Ey ibne Aadam ! Tujhe maloom hona chahiye k agar tu Apni zaat se gaflat karega aur taiyaari nahi karega aur Allah Ta'ala se mulaqaat baharhaal zaroori hai, So Apni zaat ke liye hissa le aur isko doosro ke supurd na kar_,"
* Kanzul Ummal ,Jild-15, Hadees -42790*
○┅✧ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jabse tum Paida hue ho tumne logo ko marte dekha hai , maut ka farishta tum per bhi muqarrar kiya gaya hai lekin WO tujhko chhod kar doosro ke Paas jata raha hai lekin esa lag raha hai k ab tumhara number aa gaya ,ab doosro ko chhod kar tumhare Paas aayega ,matlab ye k Farishta kisi bhi waqt aa sakta hai, aur Jab uska aana Haq hai to tumhe Apni taiyaari karni chahiye, Apna boriya Bistar taiyaar rakho jab maut ka Farishta tumhare Paas aaye to chal pado ,isse gaafil nahi rehna chahiye,
○┅✧ Ek Hadees Sharif mai ye nasihat farmayi gayi hai :- 
"__ ...Jab tum namaz padhne ke liye tiyaar ho to yu'n samjho k bas ab ye tumhari Aakhri namaz hai ,( Jitni bana sanwaar ke padh sakte ho padh lo ) _,"
* Mishkaat- 445 _,*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞  Gunaaho Ka Bojh _,*  
          
○┅✧Ek Ye k Jo Samaan laad rahe ho ye dekh lo k itna utha ke chal sakte ho k nahi ? Jesa k Hadees Sharif mai farmaya gaya hai :- 
"__ ...Jis Shakhs ne kisi ki ek baalisht bhi zameen hathiya li ,Qayamat ke Din Saat Zameeno se nikaal kar woh tukda Uske gale mai toq ke tor per pehnaya jayega _,"
* Mishkaat- 254_,*
○┅✧ Hum to 10 kilo mitti bhi nahi utha sakte , itna bada bojh kese uthayenge , Yaha'n to zameen ko badhane ki laalach mai k mera plot thoda bada ban jaye doosre ki zameen per qabza kar liya ,
○┅✧ Mere Bhai ! Doosre ki zameen per qabza nahi kiya balki apna bojh bhaari kar liya ,tumhare gale mai zameen ka tukda pehnaya jayega aur fir Kaha jayega :- Shabaash uthao ,
○┅✧ To maut se gaflat na karo ,WO to aani hai ,Maut se gaflat na karo balki Uske liye taiyaari karo ,Doosra ye k Apna bachaav karo , Aage Jo mushkilaat aane wali hai ,Un mushkilaat ka muqabla karne ke liye tosha saath lo ,
"Fir irshad farmaya :-__...Ey ibne Aadam ! Agar tu Apne nafs se gaafil raha aur uski taiyaari na ki to fir Teri jagah kon taiyaari karega ? 
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Kya Teeje ,Dasve ,Chaleesve aur Qur'an Khwani se Teri Magfirat ho Jayegi ?*   
          
○┅✧ Kya Khayal hai K Baad wale ( Tere Marne ke baad ) Teesre Din ya Qul Sharif karwa kar Teri bakhshish karwa lenge ? Tumne Qur'an e Majeed Zindgi mai kabhi khatm nahi kiya aur na rozana Tilawat ki ,Lekin Maut ke din ya Teesre Din tumhare liye Qur'an e Kareem khatm karwa ke tum samajhte ho k tumhara qarza ada ho jayega ?
○┅✧ Bhale Aadmi ! Tumne Apne liye Kuchh nahi kiya to doosra tumhare liye kya karega ? Aur tumhe nazar aata hai k ye log Teeja ,Saatva ,Dasvaa ,Chaleesva karte hai'n, usse bakhshish ho jayegi ,nahi Bhai ! Ye to mahaz rasme hai'n ,
○┅✧ Log kehte Hai'n k Ji Qur'an Khwani karwani hai , Qur'an Khwani ka matlab hai Qur'an Padhna , Padhna aata bhi hai k nahi ? Poochh lo unse k tumhe Qur'an Padhna aata bhi hai ? 
"_Apne khayal aur Apne andaz se Qur'an padhte hai'n , Qur'an Padhna sikha bhi to ho to Padhna aaye , Yahi vajah hai k Qur'an Khwani wale ek Safe ko do do Aadmi padhne lagte  hai'n ,ek idhar se ek udhar se , Mere Bhai ! Ye Tilawat ya Tilawat ka dhoka hai ? 
○┅✧ Yaad rakho Allah Ta'ala dhoko mai nahi aate , Kabhi Haafizo ko bula lete Hai'n aur unko ujrat dete hai'n, Ujrat le kar Qur'an Padhna ,iska Sawab hi nahi milta , do Chaar din ye rasmi baate karte hai'n ,Qul kar le. ,Teeja Dasva kar liya ,Chaleesva kar liya ,fir Saal ba Saal barsi per yaad aa gaye , fir bhi ek aadh taqreeb kar li ,Dost ahbaab ko ikattha kar liya aur Khana khila diya to goya Marne wale ka saara farz humne ada kar liya , 
"___Zara Sochiye Jis Shakhs ki 60 Saal ya 70 Saal ki Umar hui hai kya Uske zimme Allah Ta'ala ka bas itna hi farz tha ? Aur WO in rasmo se ada ho gaya ?
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Aakhirat Ka Muflis _,*   
          
○┅✧Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshade girami hai :-
"__..Jaante ho Muflis kaun hai ? Arz kiya gaya :- Hum to Muflis usko kehte Hai'n Jiske Paas Rupiya Paisa nahi hota !
Farmaya :- nahi ,Meri Ummat ka Muflis Aadmi WO hai Jo Namaz ,Roza ,Zakaat vagera aur bahut saari nekiya'n le kar aaye , Lekin kisi ka maal khaya tha ,kisi ki be aabrui ki thi ,kisi ko gaali di thi ,uska naahaq maal khaya tha , uska naahaq khoon bahaya tha aur usko maara tha vagera ,
Pas uski nekiyo'n se un arbaabe huqooq ke huqooq ada kiye jayenge aur Kaha jayega k Namaze Woh le jaye ,Roze ye le jaye ,Zakaat ye le jaye , garz ye k uski saari nekiya'n Ahle huqooq le jayenge aur ye khaali ka khaali khada reh jayega ,
__Fir Uske huqooq agar nekiyo'n se poore honge to theek varna fir Ahle huqooq ke gunaah le kar us per daal diye jayenge aur usko oundhe moonh dozakh mai daal diya jayega ( Ye hai meri Ummat ka Muflis )_,"
* Mishkaat- 435_*
○┅✧ Hamari haalat ye hai k hamare zimme Allah Ta'ala ke Jo huqooq hai'n unse gaflat , Bando ke Jo huqooq hai'n unse gaflat, garz gaflat hi gaflat hai aur uski fikar hi nahi k aage kya manzile pesh aane wali hai'n ,
○┅✧ Afsos Marne se pehle Pehle Zindgi ki fikar khaye jati hai k mehngayi bahut hai ,Bachche kya khayenge ,kya karenge ?Zindgi Jese guzarenge ? Are Bhai ye to guzar rahi hai aur guzar jayegi , lekin marne ke baad Jo Zindgi shuru hone wali hai uska kya hoga ? Hume uski fikar karni chahiye,
_,*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Momin Apne aur Doosro Ke liye bhi Aakhirat ka Samaan Kare,*  
         
○┅✧ Farmate hai'n :- Ey ibne Aadam ! Apne liye taiyaari kar ,gaflat na Kar ,agar tu Apni zaat ke liye taiyaari nahi karega to doosre Aadmi tere liye samaan nahi karenge _,"
○┅✧ Aur mai'n to kehta hu'n k Momin ko doosro ke liye bhi samaan karna hoga ,Dua ,istigfaar ,isaale Sawab karna hoga ,Hazrat Doctor Abdul Hayi Aarifi Quddus farmate hai'n k Aulaad ke zimme Haq hai k WO Aathve din Apne Maa'n Baap ki Qabr ki Ziyarat kare , unke liye isaale Sawab kare ,Kuchh padh kar bakhshe ,tamaam Ahle Imaan ke liye bakhshish ki Dua kare k Ya Allah ! Imaan salamat rakh ,khaatma bil khair farma _, Hum log to Apne liye hi gaafil hai doosro ki kya fikr karenge ?
○┅✧ Aur Jo ye doosro ke liye kar raha hai WO bhi Apne liye hi hai k Jab tum doosro ke liye maangoge to Allah Ta'ala tumhe pehle ataa farmayenge , Doosro ke liye khair maangoge to Allah Ta'ala pehle tumhe khair ataa farmayenge, isliye k masla ye hai k Jab bakhshish ki Dua karni ho to yu'n Kaha jaye ;- Ya Allah ! Meri bakhshish farma aur Imaan wale mardo aur Aurto'n ki bakhshish farma ," is mukhtasar Dua mai Hazrat Aadam Alaissalam se le kar Qayamat tak aane wale tamaam Momineen ke liye Dua ho gayi ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Kaafir v Musalman Ki Allah se Mulaqaat Ka Haal _,*  
         
○┅✧ Marne ke baad Allah Ta'ala ke saamne Jana hai Koi Roshan chehra le kar jaye aur Koi nauzubillah Kaala moonh le kar jaye , Allah Ta'ala ki panaah , Bahar haal Jana hai aur Baargahe Khudawandi mai haazri laazim hai , Hadees Sharif mai farmaya gaya hai :-
"__Lekin Jab Momin ki wafaat ka waqt qareeb aata hai to Uske Paas Allah Ta'ala ki jaanib Se ek Khushi khabri sunane wala Farishta haazir hota hai aur Jo Kuchh Allah Ta'ala ke Yaha'n uska aizaaz v ikraam hone wala hai isse usko agaah karta hai ,to Uske nazdeek Allah Ta'ala se mulaqaat se Zyada koi cheez Mehboob nahi hoti , Pas WO Allah Ta'ala se mulaqaat ko pasand karte hai'n,
__Raha Faasiq v Faajir ! Jab uski maut ka waqt qareeb aata hai to Uske Paas bhi ek Farishta aata hai Jo use WO Sab Kuchh batlata hai Jo Uske saath bura sulook hone wala hai, To WO Allah Ta'ala ki mulaqaat ko na pasand karta hai aur Allah Ta'ala bhi uski mulaqaat ko na pasand karte hai'n _,"
 *Kanzul Ummaal -Jild 15 ,Hadees -42198,*
○┅✧ Farmate hai'n Allah Ta'ala se mulaqaat to zaroori hai ,Lihaza Apni zaat ke liye tosha taiyaar kar lo aur us tosha ki taiyaari ko doosro ke supurd na karo ,isliye l tum Apna tosha khud hi baandhoge ,tumhara tosha doosre nahi baandhenge ,
  
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Maa'n Ki Be-Adabi Karne Wale NoJawan Ka Waqi'a _,"*  
         
○┅✧ Ek baar Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai shikayat ki gayi k ek Nojawan teen din se naja ki haalat mai hai ,uski Jaan nahi nikal rahi , Aap Sallallahu Alaihivasallam waha tashreef le gaye ye nojawan takleef mai tha , Usko dekh kar irshad farmaya :- iske Maa'n Baap zinda hai'n ? Arz kiya gaya iski Maa'n zinda hai ,farmaya k usko bulao ,
○┅✧ Uski Walida aayi to usse farmaya:- Badi Bi is Ladke ne tumhari koi gustakhi to nahi ki ? Koi be adabi to nahi ki ?
Kaha- nahi ! Ye bada farmabardaar tha Albatta ek dafa isne mere patthar maara tha , (Bahut se bad bakht ese hai'n Jo Apne Maa'n Baap ko maarte hai'n ,unko gaali dete hai'n ),
○┅✧Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k badi Bi ! Tum Apne bete ko Allah ki Raza ke liye maaf kar do ,
Kehne lagi - mai'n to maaf nahi karungi , kyunki mujhe isse bahut sadma hai ,
( Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke zamane mai koi Shakhs Apne Maa'n Baap per haath uthaye ? )
○┅✧Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se  farmaya k Lakdiya'n  Jama karo ,
WO Maa'n Kehti hai k lakdiyo'n ka kya  karenge ?
Farmaya - tere Bete ko jalayenge , Agar tum isko maaf nahi karogi to Allah Ta'ala isko jalayenge ,aur hamara jalana asaan hai aur Allah Ta'ala ka jalana sakht hai ,
WO Maa'n fir kehne lagi k Mai'n isko Dil se maaf karti hu'n ! Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne us Nojawan ko farmaya k Kalma Padho , Usne Kalma Padhna aur Rooh Parwaaz kar gayi ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Momin Ki Rooh Asaani se nikal Jati hai _*  
         
○┅✧Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam Ka irshade girami hai k Nek Aadmi ki Rooh ESE nikal jati hai Jese mashkiza se qatra girta hai , aur farmaya k bure Aadmi ki Rooh is tarah nikalti hai Jese dhuni hui rooi ho aur Kaante daar chhadi gili kar ke Uske ouper maari jaye aur fir lapet kar ke usko kheencha jaye , Ab WO chhadi to us rooi se juda nahi ho sakti ,Yahi haal bure Aadmi ke naze ka hai k Uske rago reshe mai Rooh siraat kar jati hai, ek ek rongte mai chhupne ki koshish karti hai, usko kheenchne mai to ek ek rongte ko takleef hoti hai ,
○┅✧Bahut se Allah ke bande ese Hai'n Jinke liye Allah Ta'ala us waqt ko Asaan farma dete hai'n ( Allah Ta'ala hamare liye bhi us waqt ko Asaan farmaye ,imaan per khaatma farmaye aur naza ko Asaan farmaye ,Aameen) ,
○┅✧Aur bahut se Bande ese hai'n k Naza ke waqt unki saari Umar ki lazzat khatm ho jati hai, Allah Ta'ala isse panaah mai rakhe ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Maut Ki Sakhti Ko Yaad Rakho  ,*  
         
○┅✧Ye maut ka pyala itna kadwa hai k uski talkhi baaz logo ko Hashr tak baqi rahegi ,Allah Ta'ala panaah mai rakhe , Hum Zindgi guzaarte hue is qadar gaafil ho jate hai'n k kabhi ye khayal hi nahi aata k iska asar hamari maut per to nahi waaq'a hoga ?
○┅✧ Duniya mai Dosti karte hue, Duniya mai mamlaat karte hue, Duniya mai naqal v harkat karte hue, Chhup kar ya elaaniya gunaah karte hue hum is baat se gaafil hote hai'n k maut ke waqt iska anjaam kya hoga ? Marne wale ko log Kalma talqeen kar rahe Hai'n lekin kisi ko pata nahi k WO kaha'n fansa hua hota hai ?
○┅✧ Hazrat Hasan Reh. farmate hai'n k Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu ne logo ko khutba diya aur Hamdo Sana ke baad farmaya :- Logo Allah Ta'ala se darna ganimat ki cheez hai ,Aur sabse hoshiyar aur Daana Aadmi WO hai Jo Apne Nafs ko Allah Ta'ala ke ahkaam ka paaband kare aur Maut ke baad Zindgi ke liye Amal kare aur Qabr ke andhere ke liye Allah Ta'ala ke Noor mai se kuchh Noor haasil kar le ,
"__ Bande ko isse darna chahiye k Qayamat ke din Allah Ta'ala usko andha uthaye Halanki WO dekhne wala tha ,Hakeem aur Daana Aadmi ke liye Chand mukhtasar kalimaat kaafi hai, aur behra to yu lagta hai k wo sunta nahi hai , Khoob Jaan lo k Jis Shakhs ke saath Allah ho WO kisi cheez se nahi darta aur Allah Ta'ala Jis Shakhs ke muqable mai ho WO fir iske baad kis se ummeed rakhega ?
○┅✧ Hadees Sharif mai farmaya hai k sabse ounchi hikmat aur hikmat ka sila ,hikmat ki choti Allah Ta'ala se darna hai ,Jo Shakhs Allah Ta'ala se nahi darta usme hikmat nahi hai aur Yani buniyaad hai tamaam nek amaal ki aur tamaam bure amaal se bachne ki ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
*☞  Azaabe Qabr Ka Khof _,* 
         
○┅✧ ...( Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ) Kabhi Kabhi qabristaan jate to itna rote k Daadhi Mubarak tar ho jati ,arz kiya gaya k Hazrat Aap Jannat aur Dozakh ka tazkira karte hai'n to itna nahi rote jitna k Qabr ko dekh kar rote hai'n ?
"_ Irshad farmaya :- Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna hai k Qabr Aakhirat ki manzilo mai se pehli manzil hai ,Jo Sakhsh Yaha'n nijaat paa gaya WO in sha Allah aage bhi nijaat paa jayega ,Jo yahi'n fas gaya isse aage ki kya tawaqqo hai ,Uske bare mai kya tawaqqo hai ?
* Mishkaat- 62_*
○┅✧ Ye to pehli manzil hai , Qabr se le kar Jannat tak Barzakh ka faasla ,Qayamat se pehle Pehle ka faasla aur fir Qayamat ke Din ka Pachaas Hazaar Saal ka faasla aur khuda Jane isme kitni manzile aane wali hai'n , Kya Kya halaat pesh aane wale hai'n , Jo Shakhs Pehle marhale ( qabr ) mai pakda gaya WO aage kya karega ?
"__Haq Ta'ala Shanhu Hamari hifazat farmaye ,Allah Ta'ala sabki qabro ko Munawwar farmaye ,Qabr ke Azaab se aur Jo cheez azaabe Qabr ko saabit karne wali hai ,Allah Ta'ala hume unse bachaye ,
○┅✧ Taqriban 15 ke qareeb Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum se ye hadees marvi hai, Maine ek hi mazmoon mai Sabhi Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke Asma e Girami ko Jama kiya hai ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Azaabe Qabr Ke Asbaab _,*
         
○┅✧Azaabe Qabr se mutalliq ek doosri rivayat ke alfaaz ye hai'n :-
"__ Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam tashreef le ja rahe they ,farmaya :- Ye do qabre hai'n, in dono Qabr walo ko Azaab ho raha hai , Kisi badi baat per inko Azaab nahi ho raha ,in me se ek Chugal Khori kiya karta tha ( Aapko baat mere Paas aa kar lagayi aur meri baat Aapke Paas jaa kar lagayi ,Ye Bimari aam ho gayi hai ,Chugli karna aur geebat karna ye cheeze mojibe azaabe qabr hai ) __ Ye doosra Aadmi Peshaab se ahatyaat nahi karta tha _,"
*Bukhari _ 1/184*
○┅✧ Ye Jitne bhi Jeans ,Paint Pehanne wale hai'n Sab ESE hi hai'n k inko na istinje ki zarurat pesh aati hai, na dhele ki , Khade khade peshaab kar lete hai'n aur fir hu'n hi foran Jip band kar lete hai'n , Peshaab Aadmi ka ho ya jaanwar ka ,isse bachna laazmi hai aur doosra idhar ki udhar lagana chugal khori karna  ye bahut bada jurm hai , isse ahatyaat karo k azaabe Qabr ka mojib hai ,
○┅✧ Arz ye karna chahta hu'n k bahut saari cheeze Qabr ki zulmat ka sabab hai ,Qabr ke andar andhere ka sabab hai ,Allah Ta'ala unse bachaye , Aur bahut saari cheeze Qabr ki Roshni aur Noor ka sabab hai , isi ko farmaya :- Qabr ki Roshni ke liye Allah Ta'ala ke Noor mai se koi Noor le kar jaao , Bahut saari cheeze esi hai'n Jo Qabr ke Azaab se bachane wali hai'n unka ahatmam kiya jaye ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Qabr Jannat Ka Baag Hai Ya Jahannam Ka Gadha_,*  
         
○┅✧ ....Iske baad Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ne farmaya k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Qabr Jannat ke Baago mai se ek Baag Hai Ya Dozakh ke gadho mai se ek gadha hai ,
"__Allah Ta'ala Hamari Qabro ko Jannat ke baago mai se ek Baag banaye ,( Aameen ),
○┅✧Aaj Kal Kuchh bewaqoof log ye poochhte hai'n k Qabr mai Azaab hota bhi hai ? Allah ke Bando Kis chakkar mai Pad gaye ho  ? Shaitaan ne tumko Kis chakkar mai daal diya hai ? Tumko Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki baat per aitbaar nahi raha ?
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞  Shukr Karo Azaabe Qabr Sunayi nahi deta _,* 
         
○┅✧ Ye us Mehboob Sallallahu Alaihivasallam ki wajahat ka tufail hai k Azaabe Qabr Sunayi nahi deta ,Kyunki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Agar mujhe ye andesha na hota k tum Apne Murdo'n ko Qabr mai dafan karna chhod doge to mai'n Allah Ta'ala se Dua karta k tumhe Suna de Jo mai'n Sunta hu'n _,"
* Mishkaat- 25_*
○┅✧Qabr ka Azaab Jo Qabristan mai ho raha hai, agar sunayi deta to qabristan mai qadam rakhne ki jurrat na hoti ,Ye us Mehboob Sallallahu Alaihivasallam ke tufail hai k Allah Ta'ala ne Parda daal diya , is per Shukr ke bajaye ulta kehte Hai'n k hume Kyu sunayi nahi deta ? Allah Ta'ala ne barzakh ka Parda daal diya hai ,
○┅✧ Sheeshe ke makaan mai Aadmi Band ho to Awaaz aage nahi jati ,WO udhar se sun raha hai, dekh raha hai, magar Awaaz nahi pahuncha sakta , Tumhara ye Sheesha Awaaz ko ROK deta hai to Agar Allah Ta'ala ne Parda daal diya aur WO ROK raha hai to tumhe Kyu tajjub ho raha hai ?Tum Kyu israar karte ho k hume dikhna chahiye, sunna chahiye to hum maanenge ,
"__ Zara Thehar jao thoda waqt hai tum per bhi ye marhala aayega ,fir achchhi tarah tajurba kar Lena ,Yaha tum Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke kehne se nahi maante to tajurba ho jayega ,fikr na karo , Fikr uski taiyaari ki karo ,Waha'n sirf nek A'amaal hi kaam aayega ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Qabr mai Sirf Nek A'amaal hi Kaam aayenge _,*  
         
○┅✧ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ek Din Apne Sahaba se farmaya :-
"__ Jaante ho tumhari misaal aur Tumhare Ahlo Ayaal aur Amal ki misaal kya hai ? Arz kiya :- Allah Ta'ala aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam behtar jaante hai'n ,
┅✧ Farmaya :- Tumme se ek ki misaal aur Uske maal aur Aal v Aulaad aur Amal ki misaal esi hai k ek Aadmi ke Teen Bhai they ,Jab uski wafaat ka waqt aaya to usne ek Bhai ko bulaya aur Kaha k - Mujh per Jo haalat taari hai WO tum dekh rahe ho ,Batao tum mere liye kya kar sakte ho ?
┅✧Usne Kaha k - mai'n ye kar sakta hu'n k Teri timaardaari karu aur Teri Jo haalat hai us per Din Raat khada rahu , Jab tu mar jaye to tujhe Gusl du kafan pehnau aur uthane walo ke saath tujhe uthau ,Kabhi uthau aur Kabhi kandha hata du , Aur jab mai'n tujhe dafan kar ke waapas aa jau to logo ke saamne Teri tareef karu ,Jo bhi mujhse tere bare mai puchhe ,
*( Ye Bhai Uske ghar ke log Yani Bivi aur Bachche Hai'n )*
"___ (Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Sahaba Raziyallahu Anhum se sawal kiya k ) Tum is Bhai ke bare mai kya Raay rakhte ho ? Unhone Kaha - Ya Rasulullah ! Hum nahi sunte koi esi cheez jisme koi manfa'at ho !
         
○┅✧ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Fir WO Apne doosre Bhai ke bare mai kehta hai k mujh per Jo haalat aayi hai tum dekh rahe ho ,Batao tum mere liye kya kar sakte ho ?
┅✧Wo kehta hai k - Tumhare liye mere Paas Koi kaam ki cheez nahi ,magar jab tak tum zindo mai shumaar hote ho , Jab tum mar jaoge to tumhara raasta doosra hoga ,mera raasta doosra _ ,( Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ) - ye uska doosra Bhai hai Jisko maal kehte Hai'n, Batao tum isko kesa dekhte ho ?
"__ Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya - Ya Rasulullah ! Kuchh kaam ka nahi !
┅✧ Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k WO Teesre Bhai Se kehta hai k mujh per Jo haadsa naazil hua hai aur Mere Ahle Khana ne aur mere maal ne Jo jawab diya hai WO tumne sun kiya hai , Tum Batao k tum mere liye kya kar sakte ho ?
┅✧ WO kehta hai k - mai'n tera Rafeeq rahunga Teri Lahad mai ,tera mo'nnis aur tera gamkhwaar rahunga Teri Vehshat mai aur mai'n beth jaunga wazan ke din tere taraazu mai ,( aur tere taraazu ko bhaari karunga ),
┅✧ (Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k-) ye Uska Bhai hai Jisko Amal kehte Hai'n ,iske bare mai tumhara kya khayal hai ? Sahaba Raziyallahu Anhum ne arz kiya k - Ya Rasulullah ! Bahut hi achchha bhai hai aur bahut hi achchha Rafeeq hai ! Farmaya k - fir maamla yu'n hi hai ,
* Mafhoom Hadees ( Kanzul Ummal -Jild -15 ,Hadees -42981)*
┅✧ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ki Ye Hadees kahi mukhtasar aur Kahi lambi hai , Bahut saari kitaabo mai mojood hai aur isme Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne Aadmi ke maal ,Uske Ahlo Ayaal aur Uske A'amaale Saleha ki misaal bayan farmayi hai ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Bewafa Dost -ibne Aadam Ka Maal,*   
         
○┅✧ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne ye Baat samjhayi hai k Sabse Zyada Bewafa Dost maal hai k Tumhari Zindgi mai to tumhare kaam ka hai ,Lekin Jab Rooh tan se alag ho jaye to doosre ke Paas chala jata hai,
○┅✧ Ek Hadees Sharif mai Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ka irshad marvi hai :-
"__Aadam ka Beta kehta hai k :- mera maal ! Mera Maal ! Aadam ke Bachche ! Tere maal mai se sirf tera maal wahi hai Jo tune khaa liya aur Khaa kar khatm kar diya ,Ya tune Pehan liya aur  Pehan kar boshida kar diya , Ya tune Aage bhej kar Apne liye Jama kar liya ,
*__Aur in teeno cheezo ke alawa baqi jitna tera Maal hai tu usko doosro ke liye chhod kar chala jayega ,WO tera nahi  !_,"
* Mishkaat- 440_,*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Ahlo Ayaal Qabr mai Kaam na denge _,*  
         
○┅✧ Aur Ahlo Ayaal ke bare mai farmaya k :- Qabr ke kinaare tak saath dete hai'n ,
○┅✧ Aadmi Marne wala ho ,maut aur Zindgi ki kashmkash mai ho to ye Apni had tak uski jaan bachane ki koshish karte hai'n , Jo khidmat ye kar sakte hai'n Uske karne ki koshish karte hai'n, WO bhi kisi ko naseeb hai kisi ko nahi , Mar gaya to Gusl aur Kafan ka intezam kar diya ,aur Kandhe badal badal kar Qabr tak pahuncha diya , Qabr mai Lita kar ouper hazaaro man wazan daal diya taki ye bhaag na aaye ,
○┅✧ Chand roz ro dho le ,Kuchh Apni rasmo rivaaj ke mutabiq taqribaat kar liye aur koi ta'aziyat ke liye aaya to Uske saamne tareefe kar di aur bas Allah Allah ,khair Salla ! Qissa khatm ....lekin Qabr mai us per kya guzar rahi hai ? Iska kisi ko Kuchh maloom nahi !
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Qabr Ki Pukaar _,*   
         
○┅✧ Hadees Sharif mai farmaya hai k Qabr Aadmi ko rozana pukaarti hai , Tirmizi Sharif ki ye hadees hai , Qabr kehti hai ---
"__ mai'n tanhaai ka ghar hu'n ,mai'n Wahshat ka ghar hu'n, mai'n mitti ka ghar hu'n ,mai'n keedo'n ka ghar hu'n !_,"
* Tirmizi -2/69_*
○┅✧ Kaha jata hai k Qabr rozana Paanch martaba pukaarti hai, aur Tumhare liye Rozana Paanch hi Namaze muqarrar ki gayi hai'n taki tum ye Dua padho :-
*_( Tarjuma )* __ Ey Allah ! Mai'n panaah maangta hu'n Susti se ,Budhape se ,Gunaaho se ,Aag ke fitne se ,Dozakh ke Azaab se ,Maaldaari ke fitne ke shar se ,aur mai'n Panaah maangta hu'n Tangdasti ke fitne se aur Mai'n Panaah maangta hu'n Kaane dazzaal ke Fitne se _,"
*_ Bukhari -2/943 _,*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
           *☞ Azaabe Qabr __,*  
         
○┅✧ Ek Rivayat mai hai :- Hazrat Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha farmati hai'n, Ek dafa ek yahoodi Aurat mere Paas aayi ,Usne Qabr ka zikr chhed diya ,Fir kehne lagi :- Allah Ta'ala tujhe Azaabe Qabr se panaah ata farmaye ( Maine azaabe Qabr ki baat Kabhi nahi suni thi ,Maine Kaha :- kya Azaabe Qabr hota hai ? )
Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Qabr ka Azaab barhaq hai ,
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha irshad farmati hai'n k is waqiye ke baad mujhe yaad nahi k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne kabhi Namaz Padhi ho aur usme Azaabe Qabr se panaah na maangi ho _,"
* Mishkaat- 25_,*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Murde Ki beja Tareef Per Azaab _,*  
         
○┅✧ Baaz martaba log Murde ki tareef bhi gair waqai karte hai'n, Ye itna kamata tha ,itna khata tha ,Ye karta tha ,WO karta tha - Hadees Sharif mai aata hai k jab uski tareef karte hai'n aur jhooti tareefo ke pul baandhte Hai'n to :-
"__ Allah Ta'ala Marne wale per Do farishte muqarrar kar dete hai'n aur WO dono Murde ko choke de kar kehte Hai'n:- Tu ese hi tha ? ,"
* Mishkaat- 152_,*
○┅✧ Lijiye Ahlo Ayaal, Bivi Bachche aur Dost Ahbaab ab bhi us gareeb ka pichha nahi chhodte ,balki kehte Hai'n k usne ghar ke liye ye ye cheeze kharidi thi , TV laye they, Fala cheez laye they, Dubai gaye they fala fala cheeze laye they , Qabr mai in cheezo ko puchhenge , Tareef to karte hai'n magar esi fizool be mahal bilkul lagv ,Jisse us gareeb ki takleef mai mazeed izafa ho jata hai ,
○┅✧ Unke moonh se ye nahi nikalta tha k tahajjud ki Namaz padhte they ,Unke moonh se ye nahi nikalta tha k Sahar ke waqt ye Allah Ta'ala ke saamne gidgida kar roya karte they, Kisi ka Haq nahi maarte they, Kisi ke saath nainsaafi nahi karte they, Faraiz Shari'at ke paaband they, Allah Ta'ala ka Nek Banda tha , Ye baate unke moonh se nahi nikalti hai , hoti to nikalti !
*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Murde Ki Waqayi Achchhai Bayan Karo  !* 
         
○┅✧ Tareef ki baate Allah Ta'ala ke Yaha'n Shahadat ban jati hai'n , Mashoor hadees hai :-
"__ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai t Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ke Paas se Janaza guzra ,Farmaya :- Waajib ho gayi ! Ek aur Janaza guzra Farmaya :- Waajib ho gayi !
Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne arz kiya :- ( Ya Rasulullah! Do janaze guzre ,dono per Aapne farmaya - Waajib ho gayi ) Kya Waajib ho gayi ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Pehla Janaz guzra to tum logo ne uski achchhi tareef ki k ye bahut achcha Aadmi hai ,Nek Aadmi hai , Maine Kaha k Waajib ho gayi yani Jannat Waajib ho gayi ,
Aur Jab doosra Janaza guzra to tumne doosri qism ki raay ka izhaar kiya ,more nafiq tha ,bada Zaalim tha , Maine Kaha k Waajib ho gayi yani Jahannam Waajib ho gayi ,
┅✧ Tum Allah Ta'ala ke gawaah ho zameen mai yani tumhari Shahadat ke mutabiq faisla farmayenge _,"
* Mishkaat- 145 _,*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ A'amaal e Saleha Ki Wafadaari _,*  
         
○┅✧ Agar Teesre Dost ( A'amaal e Saleha ) Ko Saath le jao to WO har moqe per Tumhari madad karega ,Naza se le kar mizaan tak ,Qayamat ke din , Hashr ke din ,Mizaan yani Tarazu Jo rakhi jayegi us waqt tak Teri madad karega , Tere Saath rahega aur tera gamkhwar banega ,Teri ( Qabr ki ) tanhaai per tere akelepan ko door karega ,Ho saka to Roshni bhi karega ,
○┅✧ Koi ( Azaab ) tujh per hamla Karne aayega to jawab bhi dega ,mudafat bhi karega ,Munkar nakeer jab sawal karenge to Jawab ki bhi kifayat karega ,aur Qayamat ke Din us ( Mizaan ke )Palde mai beth jayega Jis Palde ko tu bhaari dekhna chahta hai , Aur Jitni Himmat hogi ,Jitna A'amaal e Saleha ka wazan hoga ,Apna poora wazan tere Palde mai daal dega , Yaha'n tak k Tujhe Jannat mai Pahuncha dega __,"
○┅✧ YU'n bhi aata hai k Jab farishte aate hai'n maarne ke liye to Namaz fala taraf ho jati hai, Sadqa fala taraf ho jata hai, Qur'an e Kareem ki Tilawat fala taraf ho jati hai, aur Doosre A'amaal e Saleha ek taraf ho jate hai'n, Chaaro taraf se usko Nek A'amaal gher lete hai'n aur Kehte hai'n k maarne nahi denge ,Azaabe Qabr ko taal dete hai'n _,
"_ Surah Mulk ( Tabarakallazi ) ke bare mai farmaya hai k ye maut ko is tarah apne paro ke niche le leti hai Jis tarah murgi apne Bachcho ko paro ke niche le leti hai, Aur Azaabe Qabr se bachati hai , Ye Uske A'amaal e Saleha hai'n Jo Marte waqt bhi Uske saath, Qabr mai bhi Uske saath ,aur Hashr mai bhi Uske saath honge ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Qabr mai Bure A'amaal Ki Shakl _,*  
         
○┅✧ Hadees Sharif mai aata hai k Badkaar Aadmi ke saamne nihayat darawni shakle aati hai'n aur WO unko dekh kar ghabrata hai , Ghabrahat to Pehle hi mojood hai, Tanhaai aur Vahshat hai , Chunache ye chillate hue Pareshani ka izhaar karte hue Kehta hai k Khuda tumhara naas kare tum kon ho ?
○┅✧ To WO kehta hai k tum fikr na karo ,Mai'n tumhara WO bura Amal hu'n Jo tune kiya tha ,iske baad WO saare ke saare A'amale bad parra baandh ke aa jate hai'n Chidiyo'n ki shakl mai ,Bad Rooho ki shakl mai , Bhediyo'n ki shakl mai ,Jungle ke darindo ki shakl mai ,Saanpo aur Bichchhuo'n ki shakl mai , WO Uske saath aa kar let jate hai'n ,
"__Kehte hai'n na k Qabr mai Saanp aur Bichchhu honge , WO yahi Apne Bure A'amaal Hai'n __( Jo Saanp Bichchhu ki shakl mai saamne aayenge ) , Allah hum sab ki hifazat kare ,
*☞ Qabr mai Achchhe A'amaal Ka manzar_,*  
○┅✧ Aur Nek Aadmi hota hai to Uske A'amaale Saleha nihayat hi haseen shakl mai Uske saamne aate hai'n , Ye kehta hai k Allah Ta'ala tumhara bhala kare ! Mai'n to bahut tanhaai mai tha ,Mai'n wahshat mehsoos kar raha tha ,Tum log kon ho Jo mere uns ke liye aur meri wahshat ko door karne ke liye aa gaye ? WO kehte Hai'n k :- Aapke Nek A'amaal hai'n !
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Badkaar Ka Apne Bure A'amaal Per izhare Hasrat _,*  
         
○┅✧ Qur'an e Kareem (Surah Az-Zukhruf, Aayat 38) mai hai k Apne Bure Amal ko dekh kar kahega k :-
َ يَا لَيْتَ بَيْنِي وَبَيْنَكَ بُعْدَ الْمَشْرِقَيْنِ فَبِئْسَ الْقَرِينُ
"__ Kaash ! K mere darmiyan aur tere darmiyan Magrib v Mashrik ka faasla hota ,tu bahut hi bura saathi hai _,"
○┅✧ Faasla kese hota ? Tune to khud kiya tha , Jhoot khud bole they, Zulm khud kiya tha ,Badkaariya'n aur Behayaiya'n khud ki thi ,aur Aaj kehte ho k Magrib v Mashrik ka faasla hota ,
○┅✧ Jab tumse Kaha gaya tha k Ye Sab gunaah ki baate hai'n tumne maana hi nahi ,tumne to soch liya tha k Zindgi in baato ke bager kese guzar sakti hai ? , ..Maut aane do tumhe khud pata chal jayega k Ye Jo tumne laanat gharo mai daali hui hai , TV aur isi tarah Movi banate ho, Camere rakhe hue hai'n , Ye Tasveere latkayi hui hai'n ,aur Ye Bachcho ke khilone Buto ki shakl mai rakhe hue hai'n , aur Jo tum badkaariya'n karte ho ,tumhe khud pata chal jayega k ye Sab kya cheez hai ?
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Us Waqt Ka Rona Koi Kaam nahi dega*  
         
○┅✧ Aaj Tum Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki baat Sun kar bhi us per yaqeen nahi karte , Tab ( Jab Maut aayegi ) Aankh se dekh kar Yaqeen la doge , aur us waqt koi ilaaj kaar nahi  hoga ,
○┅✧ Hadees Sharif mai aata hai k :- Dozakhi log ek hazaar Saal tak Aansuo'n ke saath royenge , ek hazaar Saal tak Aankho se Khoon niklega ,aur ek hazaar Saal tak Peep nikalti rahegi _,"
○┅✧ Allah Ta'ala aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki baat Sun kar tum usko Mullaiyat kehte ho ( Mullo ki baat keh kar mazaaq banate ho ) Zara waqt aane do _" Is gubaar ko chhat Jane do ,Tumhe maloom ho jayega k tumhare niche Ghoda tha Ya Ghadh tha ,
○┅✧ Garz ye k Jitna Jitna Kisi ka nafa hai ,Aadmi usse utna hi talluq rakhe ,Aqal ka qaayda yahi hai aur is Aqal ka hum duniya mai istemal bhi karte hai'n, Lekin Aakhirat ke maamle mai Hamari Aqal kaha'n chali jati hai ? Aqal ke saamne andhera Kyu aa jata hai ?
○┅✧ Aqal ki misaal esi hai Jese Aankho ki Roshni ,Ye andar ki Roshni us waqt kaam deti hai jabki Baahar bhi Roshni ho , Dekhne ke liye hum Do Roshniyo'n ke mohtaaj hai'n , Aqal ki Roshni us waqt kaam deti hai jabki Dil mai hodayat ki Roshni bhi ho ,Noore Hidayat bhi ho aur humne to Chiraage Hidayat Foonk maar kar bujha diya , Aakhirat ke maamle mai hum bilkul andhe ho gaye hai'n , Duniya ke maamle mai to Hamari Aqal bahut kaam karti hai, Aakhirat ke maamle mai Kyu kaam nahi karti ,? Kese kare ? Dekhe kese ? WO to Noore Nabuwat rehnumayi karega to Hamari Aqal bhi dekhegi ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Duniya v Aakhirat mai Kaam aane Wali Cheez se Talluq Chahiye*  
         
○┅✧ Ye qaayda hai k Jitni cheez faayde mand hoti hai Aadmi usko akhtyar karta hai , Hona ye chahiye k A'amaale Saleha ka ahatmam ho ,Uske SaTh rafaqat ho ,
○┅✧ Hadees Sharif mai aata hai k _" Hazrat Ayesha Siddiqa  Raziyallahu Anha farmati hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam hamare saath ghar mai tashreef late they to ghar ke kaam kaaj mai mashgool rehte they ,Jese ghar mai kaam hota hai, Lekin Jese hi Azaan ki awaaz sunte is tarah khade ho jate they Jese hume pehchante hi nahi hai'n _,"
* Fazaile Namaz -88 _,*
○┅✧ Hona ye chahiye k Jese hi hukme ilaahi aa jaye Hamari Jaan Pehchan sabse khatm ho jaye ,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Maal Ka Nafa Kharch Karne mai hai_,*  
         
○┅✧ Maal to esi Bekaar cheez hai k jab tak usko kharch na karo nafa nahi degi , Dher laga laga kar rakhte raho ,Kuchh faayda nahi ,
○┅✧ Haaji Abdul Sattaar Sahab ne Apni kitaab mai ek Waqi'a likha hai k Ek Seth tha ,Apne khazane ki Sayr karne ke liye gaya ,Dair ho gayi to WO Nazar nahi aaya ,Uske Naukro Chaakro ne darwaza band kar diya aur chale gaye ,Seth andar hi tadap tadap kar mar gaya , Agle Din darwaza khola to Seth ji mare pade hai'n , Halanki Khazana mojood tha , Kyunki WO khane pine aur bhook pyaas bujhane ka kaam nahi deta ,haa'n usko kharch kar ke khane pine ka samaan haasil kiya ja sakta hai,
○┅✧ Garz ye k ye maal aur Khazane Kisi kaam ke nahi hai'n jab tak tum inko kharch na karo isse  fayda nahi uthaya ja sakta ,Lekin humne maamla ulta kar liya , Hamara Jitna talluq Maal se hai utna Ahlo Ayaal se bhi nahi , Maa'n Beti ki ladaai aur Baap Bete ki ladaai , Bhai Bhai ki ladaai Kis cheez per hai ? Paise per hai !
○┅✧Ye Paisa Sab cheezo per gaalib aa gaya hai, Hona to ye chahiye tha k Paise ko in per kharch kiya jata , Lekin Aaj ho ye raha hai k ( is Paise ki vajah se ) in Rishto ko is per kharch ( khatm ) kiya ja raha hai , ( Talluq tode ja rahe Hai'n ) aur Maal ke liye Ahlo Ayaal ke liye Apna Deen bhi qurban kiya ja raha hai ,
"__Allah Ta'ala hume Sahi samajh ata farmaye aur Allah Ta'ala hume ESE A'amaal e Saleha ki Tofeeq ataa farmaye Jo naza ke waqt bhi hamare kaam aaye , Qabr mai bhi hume kaam de ,Hashr mai bhi kaam de , ( Aameen ),
    ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Aalame Barzakh Hamari Aankho se Poshida hai*  
         
○┅✧ Haq Ta'ala Shanhu ne Apni Rehmat farmayi hai ,WO Jo Agla jahaan hai Jise Aalame Barzakh kehte Hai'n aur Jo Marne ke baad mujhe aur Aapko pesh aane wala hai , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Us zaat ki qasam jiske qabze mai meri jaan hai agar tum jaan lo WO cheez Jisko Mai'n jaanta hu'n to tum kam hansa karo aur Zyada roya karo aur dhaade maarte hue Jangalo ki taraf nikal jao _,"
* Mishkaat- 456,457_,*
○┅✧ Agar WO manzar hamare saamne aa jaye to WO itna holnaak hai k hum Murde dafnana chhod de ,kisi ki Himmat hi na pade k qabro mai murdo ko dafan kar sake , Ye to Haq Ta'ala Shanhu ka Ahsaan hai k hum per gaflat ka Parda daal diya hai , k istehzaar nahi aur  khayal hi nahi k hume ye marhala pesh aane wala hai ,
○┅✧ Amirul Momineen Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu jab Qabr ka tazkira karte to itna rote k daadhi Mubarak tar ho jati ,logo ne arz kiya k Hazrat Aap jannat aur Dozakh ka tazkira karte hai'n magar itne nahi rote ,Jitna k Qabr ke tazkire per rote hai'n ,
Farmaya k :- Maine Aap Sallallahu Alaihivasallam se suna hai k Qabr Aakhirat ki manzilo mai se pehli manzil hai, agar insaan Yaha'n Kaamyab hua to Agli manzilo mai bhi kaamyab ho jayega aur agar Yaha'n nakaam hua to agli manzilo mai kaamyabi ki kya Soorat aur kya ummeed ki ja sakti hai, _,"
Aur irshad farmaya k Mai'ne Aap Sallallahu Alaihivasallam se ye bhi suna hai k Maine Jitne manazir dekhe hai'n unme sabse Zyada khofnaak Qabr ka manzar hai _,"
* Mishkaat -26 _,*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Agle Jahaan Ki Taiyaari Karo ,*  
         
○┅✧ Aadmi Duniya mai ye samajhta hai k Mai'n Yaha'n hamesha ke liye aaya hu'n , Koi Taiyaari karne ki fikr hi nahi , Allah Ta'ala hume tofeeq ata farmaye ( Aameen ) Baaz hazraat aur Baaz Bande to ese honge Jinko Apni Aakhirat ki Taiyaari ki ,Apni Agli manzil ki taiyaari ki fikr hogi k mujhe Jana hai aur jaa kar hisaab v kitaab dena hai ,
○┅✧ Ek to bada hisaab Jo Qayamat ke din hoga WO to baad ki cheez hai , Ye Jo pehla hisaab hai Jo Marne ke baad ka marhala hai uski fikr hogi k itni si jagah hoti hai jisme Aadmi ko lita dete hai'n, fir ouper se usko band kar dete hai'n aur mano mitti daal di taki bhaag kar na aa jaye , Halanki WO bejaan mahaz nahi hota balki usme Rooh daali jati hai aur WO Apne Dafan karne walo ki Jootiyo'n ki aahat sunta hai ,Jesa k Hadees mai hai :-
"__ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Murde ko abhi dafnane wale ke qadmo ki aahat sunayi di hi hoti hai, yani jab WO Dafna kar waapas hote hai'n unke qadmo ki Aahat sun raha hota hai k Do Farishte aa jate hai'n Jinko Munkar Nakeee kehte Hai'n ,(baaz rivayaat mai aaya hai k unko Mubasshir Basheer kehte Hai'n )_,"
* Mishkaat- 24,25 _,*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞  Qabr mai Teen Sawalaat_,*  
         
○┅✧ Khulasa Ye hai k usse bahut Asaan se Teen Sawal karte hai'n :-
"__ Hazrat Bara bin Aazif Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Us Aadmi ke Paas Do farishte aate hai'n, usko Qabr mai bithate hai'n fir WO dono farishte usse sawal karte hai'n k Tera Rab Kon hai ?( Agar WO nek Aadmi hota hai to ) kehta hai k Mera Rab Allah hai ,
Fir WO dono farishte us nek Aadmi se sawal karte hai'n k Tera Deen kya hai ? WO Nek Aadmi jawab deta hai k mera Deen islam hai ,
Fir WO Farishte usse sawal karte hai'n k us Aadmi ke bare mai tumhara kya khayal hai Jo tumme bheja gaya tha ? WO Aadmi kehta hai k Woh Allah ke Rasool hai'n ,Fir farishte usse sawal karte hai'n k tujhe kese maloom hua ? WO Aadmi kehta hai k Maine Allah Ta'ala ki kitaab padhi thi , us per Maine yaqeen kiya tha aur Maine tasdeeq ki thi ....,"
○┅✧ ( Agar koi Badkaar Aadmi hota hai to ) usse farishte sawal karte hai'n k tera Rab kon hai ? To WO kehta hai mujhe maloom nahi ,mujhe maloom nahi , Fir WO farishte usse sawal karte hai'n k Tera Deen kya hai? WO kehta hai Mujhe maloom nahi ,mujhe maloom nahi , Fir WO Farishte usse sawal karte hai'n k Us Aadmi ke bare mai tumhara kya khayal hai Jo tumme bheja gaya tha ? WO kehta hai k mujhe maloom nahi, mujhe maloom nahi_,"
* Mishkaat -25  __*
,*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
     
*☞ Aalame Barzakh Hamari Aankho se Poshida hai*  
         
○┅✧ Haq Ta'ala Shanhu ne Apni Rehmat farmayi hai ,WO Jo Agla jahaan hai Jise Aalame Barzakh kehte Hai'n aur Jo Marne ke baad mujhe aur Aapko pesh aane wala hai , Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__ Us zaat ki qasam jiske qabze mai meri jaan hai agar tum jaan lo WO cheez Jisko Mai'n jaanta hu'n to tum kam hansa karo aur Zyada roya karo aur dhaade maarte hue Jangalo ki taraf nikal jao _,"
*📁 Mishkaat- 456,457_,*
○┅✧ Agar WO manzar hamare saamne aa jaye to WO itna holnaak hai k hum Murde dafnana chhod de ,kisi ki Himmat hi na pade k qabro mai murdo ko dafan kar sake , Ye to Haq Ta'ala Shanhu ka Ahsaan hai k hum per gaflat ka Parda daal diya hai , k istehzaar nahi aur  khayal hi nahi k hume ye marhala pesh aane wala hai ,
○┅✧ Amirul Momineen Hazrat Usman bin Affaan Raziyallahu Anhu jab Qabr ka tazkira karte to itna rote k daadhi Mubarak tar ho jati ,logo ne arz kiya k Hazrat Aap jannat aur Dozakh ka tazkira karte hai'n magar itne nahi rote ,Jitna k Qabr ke tazkire per rote hai'n ,
Farmaya k :- Maine Aap Sallallahu Alaihivasallam se suna hai k Qabr Aakhirat ki manzilo mai se pehli manzil hai, agar insaan Yaha'n Kaamyab hua to Agli manzilo mai bhi kaamyab ho jayega aur agar Yaha'n nakaam hua to agli manzilo mai kaamyabi ki kya Soorat aur kya ummeed ki ja sakti hai, _,"
Aur irshad farmaya k Mai'ne Aap Sallallahu Alaihivasallam se ye bhi suna hai k Maine Jitne manazir dekhe hai'n unme sabse Zyada khofnaak Qabr ka manzar hai _,"
*📁 Mishkaat -26 _,*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞ Agle Jahaan Ki Taiyaari Karo ,*  
         
○┅✧ Aadmi Duniya mai ye samajhta hai k Mai'n Yaha'n hamesha ke liye aaya hu'n , Koi Taiyaari karne ki fikr hi nahi , Allah Ta'ala hume tofeeq ata farmaye ( Aameen ) Baaz hazraat aur Baaz Bande to ese honge Jinko Apni Aakhirat ki Taiyaari ki ,Apni Agli manzil ki taiyaari ki fikr hogi k mujhe Jana hai aur jaa kar hisaab v kitaab dena hai ,
○┅✧ Ek to bada hisaab Jo Qayamat ke din hoga WO to baad ki cheez hai , Ye Jo pehla hisaab hai Jo Marne ke baad ka marhala hai uski fikr hogi k itni si jagah hoti hai jisme Aadmi ko lita dete hai'n, fir ouper se usko band kar dete hai'n aur mano mitti daal di taki bhaag kar na aa jaye , Halanki WO bejaan mahaz nahi hota balki usme Rooh daali jati hai aur WO Apne Dafan karne walo ki Jootiyo'n ki aahat sunta hai ,Jesa k Hadees mai hai :-
"__ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Murde ko abhi dafnane wale ke qadmo ki aahat sunayi di hi hoti hai, yani jab WO Dafna kar waapas hote hai'n unke qadmo ki Aahat sun raha hota hai k Do Farishte aa jate hai'n Jinko Munkar Nakeee kehte Hai'n ,(baaz rivayaat mai aaya hai k unko Mubasshir Basheer kehte Hai'n )_,"
*📁 Mishkaat- 24,25 _,*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
 
*☞  Qabr mai Teen Sawalaat_,*  
         
○┅✧ Khulasa Ye hai k usse bahut Asaan se Teen Sawal karte hai'n :-
"__ Hazrat Bara bin Aazif Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Us Aadmi ke Paas Do farishte aate hai'n, usko Qabr mai bithate hai'n fir WO dono farishte usse sawal karte hai'n k Tera Rab Kon hai ?( Agar WO nek Aadmi hota hai to ) kehta hai k Mera Rab Allah hai ,
Fir WO dono farishte us nek Aadmi se sawal karte hai'n k Tera Deen kya hai ? WO Nek Aadmi jawab deta hai k mera Deen islam hai ,
Fir WO Farishte usse sawal karte hai'n k us Aadmi ke bare mai tumhara kya khayal hai Jo tumme bheja gaya tha ? WO Aadmi kehta hai k Woh Allah ke Rasool hai'n ,Fir farishte usse sawal karte hai'n k tujhe kese maloom hua ? WO Aadmi kehta hai k Maine Allah Ta'ala ki kitaab padhi thi , us per Maine yaqeen kiya tha aur Maine tasdeeq ki thi ....,"
○┅✧ ( Agar koi Badkaar Aadmi hota hai to ) usse farishte sawal karte hai'n k tera Rab kon hai ? To WO kehta hai mujhe maloom nahi ,mujhe maloom nahi , Fir WO farishte usse sawal karte hai'n k Tera Deen kya hai? WO kehta hai Mujhe maloom nahi ,mujhe maloom nahi , Fir WO Farishte usse sawal karte hai'n k Us Aadmi ke bare mai tumhara kya khayal hai Jo tumme bheja gaya tha ? WO kehta hai k mujhe maloom nahi, mujhe maloom nahi_,"
*📁 Mishkaat -25  __*
       
○┅✧ Ek Sawal ye k Tera Rab kon hai ? Doosra ye k Tera Deen kya hai ? Aur teesra ye k Aap Sallallahu Alaihivasallam Ke bare mai puchhte hai'n k Tu inke bare mai kya kehta tha ? Aap Sallallahu Alaihivasallam be jab isko bayan farmaya to Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne puchha k Ya Rasulallah  Sallallahu Alaihivasallam ! Us waqt hamare hosh v hawaash honge ? Farmaya k Hosh hawaash honge aur ese honge jese ab hai'n ,

"__ Fir Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne irahad farmaya k Fir hum nimat lenge in sha Allah ,

○┅✧Ye to Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ka hosla tha aur Keh sakte hai'n k hum nimat lenge magar sochiye k jaha koi gamkhwaar ,koi madadgaar nahi hoga na koi talqeen karne wala hoga aur na koi bande Ki dastgeeri karega to fir wo unka sahi sahi jawab dega aur kahega k Mera Rab Allah hai ,isliye k uska Duniya mai Yaqeen bana hua tha k Allah Ta'ala mera Rab hai ,Waha'n Jhoot to chalega nahi ,Sach per Waha'n nijaat hogi ,

○┅✧ Doosra Sawal hoga k Tera Deen kya hai ? WO jawab mai kahega - islam ! 

"__Kya humne islam ko Deen maana hua hai ? Kya humne islam ko Deen  maan kar Daadhi mundhwayi hui hai ? Garz Jitni talimaat Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne di thi humne un per Amal kiya tha ? Islam ke maane hai Jhuk Jane ke ,Kya hum Allah Ta'ala ke aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke hukmo ke saamne Jhuke they ?


○┅✧ Aur Teesra Sawal hoga k in Sahab ( Hazrat Muhammad Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam) Ke bare mai kya kehte they ? Hafiz ibne Hajar Reh. Fatahul Baari mai likhte hai'n k Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Naam nahi bataya jayega ,Wese hi Farishte puchhenge k inke bare mai kya khayal hai ?

○┅✧ Baaz Hazraat ne to ye farmaya k Murde ke darmiyan aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke darmiyan ke saare parde hata diye jate hai'n aur Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki ziyarat karayi jati hai , Hafiz ibne Hajar Reh. Farmate hai'n k agar esa ho to ye bahut hi badi sa'adat hai ,lekin esi koi rivayat mujhe kahi nahi mili ,bahar haal Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke bare mai puchha jata hai k inke bare mai kya kehte they ? Unko Rasool maan kar Apne Aapko Ummati samajhte they ? Rasool aur Ummati ka talluq tumne sahi tor per nibhaya tha ? 

○┅✧ Banda Momin ho to in teeno sawalo ka jawab sahi sahi de deta hai ,Zyada mushkil Sawal nahi hai'n ,aur in hi teen sawalo mai poori zindgi aa gayi hai ,

○┅✧ Doosra Aadmi jisene Duniya mai imaan v Yaqeen nahi banaya tha WO har Sawal ke jawab mai kahega - muhhe maloom nahi ,muhhe maloom nahi ,  Tab Allah Ta'ala Ki taraf se farmaya jayega k Tu jhoot bolta hai ,Tune saari umar kabhi ye kaam kiya hi nahi tha , 

○┅✧ Mere Bhaiyo'n Allah ko Pehchano aur Apne Deen ko Pehchano ,Apne Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko Pehchano aur unki talimaat ko Pehchano aur un per Amal karo , Qabr Aakhirat Ki manzilo mai Pehli manzil hai ,Jo hamare Buzurg they WO aage chale gaye ,Unko pesh aa gayi hai ,Allah hi behtar jaanta hai k unke saath kya maamla ho raha hai ? aur idhar Hamare Sar per ye manzil khadi hai , magar hum yaha'n isse gaafil Apne kaarobaar , Kaam dhandhe mai , Khel tamashe mai ,lage hue hai'n, Khushiya'n manayi ja rahi hai'n ,Gappe Haanki ja rahi hai'n, 

"_  Ek buzurg farmate they k Aadmi Khilkhilata hai yani hansta hai halanki uska Kafan dhobi se dhul kar aa chuka hai ,Sabse badi cheez ye hai k hum is baat ko jaane aur Pehchane k hamari manzil konsi hai ? 

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Marne Wale Se ibrat Haasil Kare'n_,*   
          
○┅✧ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k jis shakhsh ko Saamne Ki cheez nafa nahi deti aur unse WO ibrat nahi pakadta to Jo cheeze usse poshida hai'n WO unke bare mai zyada andhapan akhtyar karega , Mashoor hai k - "_Nek Bakht WO hai Jo doosre se ibrat haasil kare _," Yani doosro per Jo halaat guzar rahe hai'n un halaat ko dekh kar ibrat haasil kare , 

○┅✧Marne wale mar rahe hai'n hume unse ibrat haasil karna chahiye k ek din hume bhi marna hai , Marne wala Apne Bivi Bachcho Ghar Baar aur kaarobaar  chhod kar chala gaya ,Ab na koi is faisle ke khilaf Apeel kar sakta hai aur na Marne wale ko koi waapas la sakta hai , Doosro ko chahiye k isse ibrat haasil kare aur soche k hamare saath bhi yahi hone wala hai , 

"__ Mere Bhai kya hume kabhi ye khayal aaya , Sab baate galat hai'n magar Maut barHaq hai ,Duniya Ki Sab baate galat ho sakti hai'n maut galat nahi ho sakti ,Maut barhaq hai , Rozana hum kai janaze apni Aankho se dekhte hai'n ,lekin ibrat haasil nahi karte,

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Maidane Hashr mai Ek Neki bhi Koi Nahi Dega_,*   
          
○┅✧ Hum holnaak Qabr ke halaat sunte hai'n, Qayamat ke Din ke ahwaal sunte hai'n, uski holnakiy'n sunte hai'n, Waha'n ka hisaab kitaab , Huqooq ka dilaya Jana ,logo ka maare maare firna ,magar fir bhi hum ibrat haasil nahi karte ,Maidane Hashr Ki Holnakiyo'n ka tazkira Qur'an e Kareem mai ( Surah Abasa, Aayaat 34 se 37 ) is tarah farmaya gaya hai 

*.يَوْمَ يَفِرُّ الْمَرْءُ مِنْ أَخِيه .ِوَأُمِّهِ وَأَبِيهِ .وَصَاحِبَتِهِ وَبَنِيه. لِكُلِّ امْرِئٍ مِّنْهُمْ يَوْمَئِذٍ شَأْنٌ يُغْنِيهِ.*

"__Jis Din bhaagega Aadmi Apne Bhai se ,aur apni Maa'n se aur Apne Baap se ,aur Apni Bivi se aur Apne Bachcho se ,har Aadmi ke liye ek esi haalat hogi Jo usko kifayat karegi doosri taraf mutavajjah nahi ho sakta _,"

○┅✧ Hadees Sharif mai Mashhoor qissa farmaya gaya hai :- Qayamat ke Din ek ese Aadmi ko laya jayega jiske gunaah aur Nekiya'n barabar hogi ,Allah Ta'ala mahaz Apne fazal se use farmayenge :- Jao kisi se ek Neki maang laao taki Teri Nekiyo'n ka palda bhaari ho jaye aur Tujhe Jannat mai dakhil kar de ,

WO Maidane Hashr mai Neki Ki talash mai chakkar lagayega aur har ek se Neki ka Sawal karega magar is silsile mai usse koi baat nahi karega ,Har ek ko ye khof daamangeer hoga k kahi meri Neki ka palda halka ho jaye aur mujhe ek Neki Ki zarurat na pad jaye , Yu'n har ek Apni zarurat aur ahatyaaj ke peshe nazar use ek Neki dene se inkaar kar dega ,WO mayoos ho jayega ,

K itne mai ek Aadmi se mulaqaat hogi Jo use kahega - Kya Talash kar rahe ho ? WO kahega k ek Neki talash kar raha hu'n  ,poore khandaan aur qaum se mila hu'n ,hazaaro nekiya'n rakhne ke bavjood koi ek Neki dene ko taiyaar nahi , Sabne ek Neki dene se bukhl ka muzahira kiya hai , 
WO Shakhsh use kahega k mere Naama e A'amaal mai ek hi Neki hai aur mujhe Yaqeen hai k ek Neki mujhe koi nafa nahi degi ,Lihaza ye Neki Aap meri taraf se bator hiba qubool kijiye ,

"__ WO Shakhs ek Neki le kar  khusho khurram Baargaahe ilaahi mai haazir hoga ,To Allah Ta'ala bavjood Aalimul gaib hone ke usse puchhenge - kaha'n se laye ,? WO Apna poora qissa keh sunayega ,Fir Allah Ta'ala us ek Neki wale ko bula kar farmayenge - mera Karam v Ahsaan Teri Sakhawat se Wasi'a hai ! Apne Bhai ka haath pakad aur dono jannat mai jaao , Yu'n WO dono jannat mai chale jayenge _,"

*📁 Tazkira fil Ahwaal  v Umoore Aakhirat ,Allama Qurtubi Reh. ,Darul kutubul ilmiya Bayrut -137 ,Kashful Uloomul Aakhirat - imaam gazali Reh.136-137_,*


     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Duniya ibrat Ki Jaa Hai_,*   
          
○┅✧ Dar asal Hamara Aakhirat per imaan nahi raha aur Aakhirat se pehle Qabr per bhi imaan nahi , Khwaja Mehboob Reh.farmate hai'n :-

*_ Jagah  Ji lagane ki Duniya nahi hai,*
*_ Ye ibrat Ki Jaa hai ,Tamasha nahi hai,*

○┅✧ Hizoor Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n:- Nek Bakht hai WO Shakhs Jo doosro ke haal se ibrat pakde , Shekh Sa'adi Reh. Farmate hai'n:- Hakeem Luqman se logo ne puchha k Aapne Adab kisse sikha , Farmaya - Be Adabo se ! Logo ne kaha - WO kese ? Farmaya - Jo baat Maine Kisi ke andar esi dekhi Jo meri nazar mai achchhi nahi thi to Maine faisla kar kiya k Aa'inda ye baat ya Amal nahi saadir hoga ,Usko to Kuchh bhi nahi kaha ,albatta apni islaah kar li ,isko kehte hai'n doosro se ibrat Lena , 

"__ To Jo Shakhs Aankho dekhi cheez se ibrat nahi pakadta WO kaano suni se kya ibrat haasil karega ,? Uske saamne dozakh ke halaat bayan karo ,qayamat ki holnaakiya'n bayan karo ,uske saamne Qabr ki baate bayan karo ,uske liye ye Sab be-sood hai ,Kyunki gaflat ka Parda Pada hua hai ,Jo Safar aage tay karna hai usse gaafil hai ,

○┅✧ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k :- aur beshak k tumko hukm diya gaya hai kooch karne ka aur tumko bata diya gaya hai tosha lene ka ,Khoob sun rakho ! K sab se zyada khofnaak cheez jiska mai'n andesha karta hu'n tumhare Haq mai WO do hai'n - ek Lambi Lambi ummeede rakhna aur doosre khwahishe nafs ki pervi karna ,

Raha ummeedo ka lamba hona ye Aakhirat ko bhula deta hai aur raha khwahish ki pervi karna ye Aadmi ko Haq se door karta hai ,

Khoob Sun rakho ! K Duniya Pusht fer kar ja rahi hai aur Aakhirat hamari taraf mutavajjah ho kar tezi se aa rahi hai aur in dono ke Kuchh bete hai'n, So agar tumse ho sake to Aakhirat ke beto mai se bano Duniya ke beto mai se na bano ,Kyunki Aaj ka Din Amal ka hai hisaab ka nahi aur Kal ko hisaab hoga Amal nahi hoga _,"

*📁 AL Bidaya v An-nihaya ,7/308*

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Kooch Ka Naqqaara Bach Chuka -- Bojh Halka karo _,*   
          
○┅✧ Farmaya - Ek baat yaad rakho ! K tumhare liye Kooch ka Naqqara baj chuka hai ,aur Tumhe ye bhi bata diya gaya hai k tosha saath le kar Jana hai , Kya Tosha lekar Jana hai ?

"_ Namaze janaza mai Azaan aur iqaamat nahi hoti Kyunki jab Bachcha paida hota hai uske kaan mai Azaan aur iqaamat keh di jati hai aur Bachche ke Kaan mai Azaan  aur iqaamat kehne ka matlab ye hai k usse keh diya jata hai k Jaldi kar Azaan ho chuki hai ,iqaamat ho chuki hai, imaam niyat baandhne wala hai, bas itni mohlat hai tere paas , bas itni fursat hai tere paas ,Jaldi kar le Jo karna ho ,Ye hai Kooch ka Naqqaara ,

○┅✧ Shekh Ataa Reh. Farmate hai'n k :- Tera Vajood bahut kamzor hai ,Zara apna bojh halka kar lo ,Ye Jo tumne Khoobsurat Pattharo ki gathriya'n baandh baandh kar rakh li hai ,Zara apna bojh Halka rakho ,Tumhe pata hai kamar per laad kar le Jana hai , Tumto bahut halka SA kamzor SA Vajood rakhte ho ,Apna bojh halka rakho varna Raaste mai tum Apna maamla bada sakht dekhoge , Ye bojh khud hi uthana padega Waha'n Quli nahi milte , Waha'n to Apna haath Apna moonh ,Khud hi nimto ,Jo tosha le Jana hai uski fikr nahi kar rahe aur Jo bojh nahi uthana usko baandh rahe ho ,

*Aagaah Apni Maut se Koi Bashar nahi !*
*Samaan So Baras ka Pal ki Khabar nahi !*  

○┅✧ Hamari Khwahishe Nafs ka ye haal hai k Agar Shariyat Ka koi masla koi baat hamari khwahish ke mutabiq hogi to hum Amal karenge varna keh denge " Allah Ta'ala Gafoorur Raheem hai ," bas nafs ki khwahish poori honi chahiye, Allah aur Uske Rassol ka farman poora hota hai ya nahi ,is cheez se hume bahas nahi , Allah Hifazat kare ,


     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Aakhirat Ke Bete Bano_,*   
          
○┅✧ Kuchh Bete hai'n Duniya ke ,Kuchh Bete hai'n Aakhirat ke ,Aapko maloom hai k Beta Jis Baap ka hota hai uski taraf mansoob hota hai ,Beta to ek hi Baap ka hota hai, Do ka to nahi hota , Baaz log ese hai'n Jo Duniya mai Duniya ke Bete bane hue hai'n unka aur Koi Baap nahi hai ,aur Kuchh hai'n Jo Aakhirat ke Bete hai'n ,

○┅✧Qur'an e Kareem mai irshad hai :- ( Ey Nabi ) Aap keh dijiye k Tumhe bataye k Amal ke aitbaar se Sabse zyada khasare mai kon hai'n ? ( Aksar Sabse zyada khasara uthane wale A'amaal ke aitbaar se kon hai'n ?)  Ye WO log hai'n Jinki saari mehnat zaaya ho gayi ,gum ho gayi Duniya ki zindgi mai ,aur ye log gumaan kar rahe hai'n k ye log bahut achchha kaam kar rahe hai'n _," *( Surah - AL Kahaf -103,104)*

○┅✧ Duniya Wale Molviyo'n ka ,Deendaaro ka mazaaq udaate hai'n k Duniya ka kaam nahi jaante ,Allah walo ka mazaaq udaate hai'n, Garden gurba ka mazaaq udaate hai'n, Faqeero ka mazaaq udaate hai'n aur Ye samajhte hai'n k hum Hunar mand log hai'n ,Taleem Yafta educated log hai'n , Aaj kal usi ko Taleem yafta kehte hai'n Jo Duniya Kamana ,Haraam Kamana zyada jaanta ho ,

○┅✧Duniya jaa rahi hai ,Aakhirat aa rahi hai ...Aaj Amal hai hisaab nahi hai ,Kar lo Jo karna hai ,Amal ki mohlat de di ,Amal kar lo, hisaab baad mai kar lenge ,Lekin Aaj ka din khatm hoga ,Kal ka Din aayega to Amal nahi hoga hisaab hoga, usko kaha jayega k poora karo hisaab , Kahega - kaha'n se poora karu ?


     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Maidane Hashr mai Duniya Ke Bete ka Haal _,*   
          
○┅✧ Ek Hadees Paak mai farmaya gaya hai k , Ek Aadmi qayamat ke din Zaleel v Ruswa kar ke Allah Ta'ala ke saamne laya jayega ,Allah us Bande se puchhenge k Maine to bahut saara maal diya tha Tune kya kiya ? 

WO kahega k - Ya Allah ! Maine usko khoob badhaya tha ,( ek ki do Dukaane laga li , Ek ki Chaar factories bana li ,) bahut zyada Maine Karobaar ko badha liya tha, Badi taraqqi di thi Karobaar ko ,agar Aapko chahiye to mujhe waapas bhej do mai'n laa kar Aapko de deta hu'n ,

Allah Ta'ala farmayenge  - nahi mujhe zarurat nahi hai ,WO to Tumhe yaha'n bhejne ke liye diya tha ,Tumhare kaam yaha'n aata _,"

*📁 ( Mafhoom Hadees) Mishkaat - 443,*

○┅✧ Sarah Sudoor mai Hafiz Sayvti Reh. ne ek waqi'a naqal kiya hai k -Ibne Abi Qalaba Kehte hai'n k mai'n Shaam se Basrah ki taraf ja raha tha k Raaste mai Raat ko ek khandaq mai utar kar wazu kiya ,Do Raka'at nifl ada ki aur Qabr per Sar rakh kar so gaya ,Khwab mai kya dekha k Qabr wala mujhse Shikayat kar raha hai k Raat bhar Aapne mujhe ( Qabr per Sar rakhne ki vajah se ) takleef di , Fir kehne laga k -
"_Tum nahi jaante aur hum Jaante hai'n, magar Amal nahi kar sakte ,Beshak WO Do Raka'ate Jo tune ada ki hai'n ,Duniya v Mafiha se behtar hai ," Fir usne kaha - Allah Ta'ala Duniya walo ko jaza e Khair de ,Aap unko mera Salam kahiye aur unko bataiye k unki Duae'n hamari qabro mai Noor ke Pahaado ki tarah dakhil hoti hai'n _," 


     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu Ka Khutba ,Qabr, Hashr aur Mahshar Ke Bayan mai _,*   
          
○┅✧ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ek Janaze ke saath usko rukhsat karne ke liye tashreef le gaye ,Jab Mayyat ko uski Lahad mai rakha gaya to uske mutalliqeen Ahlo Ayaal Chillane aur Rone lage ,Hazrat Ali Karamullah Wajhu ne irshad farmaya :-

"__ Rote kyu ho ? Unki mayyat ne Yani unke murde ne jis cheez ko dekh liya  hai Yani Aalame barzakh ka ,agar ye log us cheez ko dekh lete to fir Murde ko bhool jate aur Apni fikr mai pad jate ,"

○┅✧ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n k qayamat ki holnakiya'n aur Qabr ke naqshe unke saamne aa jate to unko Apna Murda bhool jata aur fir farmaya k ye maut to har baar tumhare ghar ka pehra degi , Baar baar aayegi ,yaha'n tak k ek Aadmi ko bhi nahi chhodegi ,Jitne ghar mai Aadmi ( Mard aur Aurat ) hai'n sabko ek ek kar ke le jayegi  ,"

○┅✧Farmaya k Dekho mai'n Tumhe wasiyat karta hu'n Allah se darne ki ,Jis Allah ne tumhare liye misaale bayan kar di hai ,Nek logo ki misaale bhi bayan kar di hai'n ,aur bure logo ki bhi ,Firoun ki misaal bhi bayan kar di ,Moosa Alaihissalam ki misaal bhi bayan kar di ,israar ki bhi ,Abraar ki bhi ,har ek ki misaal bayan kar di ,Sakhawat karne walo ki bhi ,Bukhl karne walo ki bhi ,Maa'n Baap ke na farmaan ki bhi aur farmabardaaro ki bhi misaal bayan kar di , Tumme se koi ESA nahi hai jiske liye Allah ne Apne paak kalaam mai misaale na bayan kar di ho ,aur isi tarah tumhare liye mi'aade bhi muqarrar kar di hai'n _,"

○┅✧Har ek Aadmi ki qismat ka parwana uske guzre hue Din ,uski gardan mai latka kar bheje hai'n, Allah Ta'ala ne Surah Bani israiyl -Aayat 13, mai bayan farmaya ,... ( Tarjuma ) Har ek ki qismat ka parwana humne uski gardan mai latka diya hai _,"

*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Ummul Momineen Hazrat Umme Habeeba Raziyallahu Anha Ki Dua_,*   
          
○┅✧Ummul Momineen  Hazrat Umme Habeeba Raziyallahu Anha ye Dua kar rahi thi :- 

"__ Ya Allah ! Mujhe mere Shohar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke zariye se ,Mere Walid Abu Sufiyan Raziyallahu Anhu ke zariye se aur Mere Bhai Mu'awiya Raziyallahu Anhu ke zariye se Nafa dijiye, ( Matlab Ye hai k k Allah inki zindgi lambi kare aur inka Saya mere Sar per qaa'im rakhe ) 

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Tu Allah Ta'ala se esi cheez maang rahi hai aur un mi'aado ke bare mai Sawal kar rahi hai Jinki ta'ayn ki ja chuki hai aur un rizqo ke bare mai maang rahi hai Jinko taqseem kar ke diya ja chuka hai aur un Saanso ke bare mai Sawal kar rahi hai Jinko gin kar Shumaar kar liya gaya hai , ( k itni saanse fala Shakhs ke liye ) , Allah Ta'ala in A'ajaal aur infaas ko na muakhkhar karenge ( Yani Jo Tay ho chuka hai Din ,Ghadi ,Saanse ,Rizq unko na taalenge ) na muqaddam karenge ,

Agar Tune Allah Ta'ala se ye Sawal kiya hota k Allah Ta'ala Tujhe Dozakh se panaah ataa farmaye aur Qabr ke Azaab se panaah ataa farmaye to ye Afzal hota aur Behtar hota _,"

*📁Sahih Muslim - 2/338 ,*

○┅✧ Yani Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unse farmaya k maangne ki cheez to ye thi magar Tu Kuchh aur maang rahi hai, 

○┅✧Allah Ta'ala ne har ek ke liye Rizq ,Saanse Muqarrar ki hui hai'n ,Har ek ki mi'aade muqarrar hai'n , Isliye Apne aur Doosro ke liye Dozakh se Panaah maangi jaye aur Jannat ke Husool ka Sawal kiya jaye ,Ye Hamare Haq mai Behtar hai ,

*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Ahsanaat e ilaahi aur A'amaal Ki Jaza v Saza_,*   
          
○┅✧ Allah Ta'ala ki niyamato ko Dekho ( Aankh ,Kaan ,Zubaan ,Dilo Dimaag ,Haath Payr ) k Allah Ta'ala ne Kaamil tareen niyamate tumko ataa farmayi hai'n ,aur Chhoti badi Tamaam haajate di , Zindgi ke liye Jo samaan chahiye WO Allah Ta'ala ne diya , Ab tum bhi to Kuchh karoge na !

○┅✧Kitni niyamate tumne udaayi WO Allah ke ilm mai hai ,Jo Ahsanaat kiye WO uske ilm mai hai'n ,aur Tum Jo uske muqable mai achchhe aur bure A'amaal kar rahe ho WO bhi Allah Ta'ala ke ilm mai hai ,Aur ye baat khoob yaad rakho Nek Amaal ho ya bure A'amaal ho WO tumne khushi mai kiye ho ya tangi mai ,Sahat mai kiye ho ya Bimaari mai , Un Sab Amaal ki jaza v saza WO dega ,

○┅✧ Allah ke Bando ! Talash mai Mehnat karo aur WO Jo cheez Tamaam khwahishaat ke gharonde ko chaknachoor kar deti hai aur Jo Tamaam lazzato ko tod fod kar rakh deti hai , Us Cheez Yani Maut ke aane se pehle pehle Amal kar lo ,Varna baazi haar jaoge ,
*
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Haar Jeet Ka Maidaan To Hashr hai  _,*   
          
○┅✧ Aaj kal to poori qaum lagi hui hai  Khail ke Maidaan mai khel ( Match ) dekhne ke liye , Mujhe ek Nojawan ne likha k TV dekhna gunaah hai ,Ye to theek hai ,Lekin Mai'n Khail ( Cricket match ,Football match ) dekhne ka Shoqeen hu'n , To Mai'n kabhi kabhi TV per match dekh leta hu'n ,  Mashaa Allah bahut achcha muqabla hua ,Fala'n Jeet gaya Fala'n haar gaya ,

○┅✧ Kya isi Jeet ko tumne Jeet aur isi haar ko haar samajh liya , Haar aur Jeet ka asal Maidaan to aage aane wala hai , Mere Bhai ! Qur'an e Kareem ne Jisko "Yaume Tagabun " farmaya , Dar asal Haar Jeet ka Din aur Haar Jeet Ka Maidaan to Maidaan e Mahshar hai ,

○┅✧ To mere Bhai ! Mehnat karo ,Koshish karo , Abhi Sahat hai ,quwwat hai , Maut ke aane se pehle pehle A'amaal kar lo , isliye k jis Duniya mai tumhara Dil atak gaya hai, uski niyamate hamesha rehne wali nahi hai, aur Kya maloom yaha'n konsa haadsa kis waqt pesh aa jaye ? Is bare mai koi itminaan nahi hai ,


   ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Maut Ke Baad Ka Naqsha_,*   
          
○┅✧ Iske baad fir naqsha bayan farmaya hai k Aage Tumhe maloom hai k Tumhe aage kya pesh aane wala hai ? Qabr ke andar to Jo Kuchh pesh aane wala hai WO aane wala hai WO aane wala hai Lekin Qabr ke baad Soor foonk diya jayega , Qabr ukhaad di jayegi , Mahshar ki taraf Sab logo ko haank haank kar le jaya jayega aur hisaab ke Katehre mai logo ko khada kar diya jayega ,Hisaab lene wala WO hoga Jiske ilm se koi cheez gaa'ib nahi hogi ,

○┅✧ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Abuzar Gaffari Raziyallahu Anhu se farmaya tha k ,Ey Abuzar ! Tosha saath le kar Jana safar bada lamba hai ,Apna bojh zara Halka rakhna ,isliye k ghaanti badi dushwaar hai ,is per chadna bada  mushkil hai ,Aur Apna Amal Zara khara le kar Jana ,Amal tumhari poonji hai ,

○┅✧ Subeh khate ho Shaam Ki fikr karte ho aur WO Jo Qabr mai pade hue hai'n unke bare mai kya irshad hai  ? Ye Sab Qayamat tak to Wahi rahenge aur qayamat ke baad uthaye jayenge , WO 50 Hazaar saal ka Din hoga ,Uske liye bhi Kuchh samaan ki zarurat hai k nahi ?  

○┅✧ Apna Amal khara le kar Jana ,Sikka khota nahi khara hona chahiye, isliye k parakhne wala bada bareek been hai ,

○┅✧ isko farmaya k fir Tumhe hisaab v kitaab ke liye khada kiya jayega aur tum is shaan se laye jaoge k Ek haankne wala hoga Jo dande ke saath haank raha hoga ,Jese gaay bhens ko haanka jata hai , 

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Adalate Ilaahi Ke Gawaah _,*   
          
○┅✧ Saath ek Gawahi dene wala hoga , Ye Dono gawahi denge ,Ek haankne wala aur ek Doosra gawaah ,aur Hazraate Ulma farmate hai'n k ye Do gawah daaye baaye wale hai'n Jinko Kiraman Katibeen kehte hai'n ,Tumhare Naama e A'amaal ka Kaatib kahega - Ye iska daftar hai Jo mere paas taiyaar rakha hai , inkaar karega to gawahi denge ,Jab is per bhi inkaar karega kahega k jhoot bolte hai'n mene ye kaam nahi kiya ,

○┅✧ Chunache Mishkaat Sharif -485 mai hai k , Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k ek dafa Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Majlis mai Bethe they, Aap muskuraye aur farmaya tum kyu nahi poochhte k Mai'n kyu muskuraya ?

Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz kiya- Ya Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam irahad farmaiye  !

Farmaya - Banda qayamat Ke din kahega k Ya Allah ! Kya ye baat nahi hai k Aapne mujhko Zulm se Aman diya hai ,Yani tujh per zulm nahi hoga ,Allah Ta'ala farmayenge k bilkul theek hai, mera waada hai k tujh per zulm nahi hoga , to WO kahega k Agar Aapka waada hai k zulm nahi hoga to Mai'n inme se kisi ki gawahi ko tasleem nahi karta _..,"

○┅✧Ahmak ye samjhega k Shayad isse meri jaan chhot jayegi , Farmaya - Bahut khoob bilkul theek hai , WO Jo Surah Yaseen mai farmaya , Yani Allah Ta'ala farmayenge bilkul theek hai, moonh per muhar laga di jayegi ,Haath gawahi denge humne ye ye kiya tha , aur Paanv gawahi denge, Fir Allah Ta'ala farmayenge k Ab to theek hai , Ab to Koi gawahi nahi de raha ,Ab tum khud hi Apne ouper gawahi de rahe ho , Kisi ki shahadat hum tumhare Haq mai qubool nahi karte ,lekin tum Apne haath aur Paanv ki shahadat to maanoge k nahi ? 

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Tamaam A'aza e Jism Gawahi denge _,*   
          
○┅✧ Qur'an e Kareem mai irshad farmaya :-  ( Tarjuma ) - .. WO Apni Khaalo se kahenge k tum mere khilaaf kyu gawahi deti ho ? WO kahenge k hume bulwa diya hai usne Jisne har cheez bulwa diya hai , Jisne har cheez ko goyaai ataa farmayi hai _," ( Hameem Sajdah -21)  

○┅✧ Jo Zubaan ko bulwa sakta hai WO Chamdi ko bhi bulwa sakta hai, Jab Tumhare WO A'aza Jinhone Jurm kiye WO bol kar batayenge fir kya baqi rahega ? 

"_Ab Kuchh parda dhanka hua tha ,magar jab us Bande ne jo kuchh kiya aur Jo Kuchh Kiraman Kaatibeen ne likha k isne zina kiya hai. Ye to isne maana nahi ,Ab gar uski Sharmgaah bol kar bataye fir to Kuchh sharm aayegi , Uski Aankhe bol kar batayegi k mere saath isne ye kiya , Agar Kiraman Katibeen ki gawahi ko nahi manoge ,Ye Allah Ta'ala ke masoom farishte Jo tumhare Naama e A'amaal likhne per muqarrar hai'n, Aur WO Diwaan aur Daftar tumhara faila diya jayega ,Usko nahi manoge to fir Apni ( Haath ,Payr ,Zubaan ,Aankhe ,Sharmgaah ki )  Gawahi to maanoge ,

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Maidane Hashr ka Naqsha_,*   
          
○┅✧ Hadees Sharif mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Maidane Hashr ka naqsha kheenchte hue irshad farmaya :-

"_ Banda Qayamat ke din Apne Rab se Kalaam karega ,Banda aur uske Rab ke darmiyan koi tarjumaan nahi hoga , WO Banda daayi jaanib dekhega to uske Amal faile hue honge ,Baayi jaanib dekhega to Aag saamne hogi ( Goya k chaaro taraf dekhega ,Pichhe to dekh nahi sakta aur har taraf uske A'amaal faile hue honge , Koi ek aadh panna thode hi hai ,humne poori zindgi mai Kiraman Katibeen Ke Kitne kaagaz siyaah karwaye hai'n , Ye naqsha bayan kar ke ) 

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Jo Shakhs Apne Aapko Aag se bachane ki isteta'at rakhta ho ,chahe khajoor ki hi ek faank hi deni pade to WO esa kare ,( Aadha hissa khajoor ka Jo Sadqa kiya hoga ,Usko bhi mamooli na samjho ,Ye bhi Dozakh se bachane wali cheez hai ) , *( Tirmizi -2/64)*

○┅✧ Garz ye k Tumhare A'amaal ka naqsha hai ,To aur kya kahe, aage poore kawa'if Zikr farmaye , Suraj be Noor ho jayega , Cho Paaye tak Jama kar diye jayenge , Dil ke bhed khul kar saamne aa jayenge ,Dil Kaanp rahe honge ,Chehre udaas honge ,Kahi chhupne ki jagah na hogi ,Kahi panaah nahi ,Koi saaya nahi ,Koi pine ko Paani nahi , Ye Maidane Hashr hai , Agar ye Saari cheeze bar Haq hai'n to tum Kis gaflat mai bhoole hue ho aur tumhe yaha'n ki zindgi ne kyu fareb de rakha hai ,Kyu dhoke mai daal rakha hai ,

○┅✧Fir Allah Ta'ala Fazal farmaye ,Allah Ta'ala bachaye Dozakh se, Dozakh mai Kundiya'n hai'n Jinme Aadmi fans jaye to nikal na sake ,Jese Kaanta daala jata hai dariya mai machhliyo ko faansne ke liye ,Machhliya us Kaante ko nigal to leti hai ,Fir ugal nahi sakti , Uske liye Kundiya hongi aur Shor macha rahi hongi ,Chilla rahi hongi ,itna Shor k us shor se Aadmi ke hosh  ud jayenge ,aur esi kadak jese Bijli ki kadak hoti hai ,  Esi lipat kar Aadmi ko jhulsa degi ,

○┅✧_ Ye Jahannam mai dakhil hone se pehle ka naqsha hai, Khuda mehfooz farmaye ,Allah Ta'ala bachaye , Ek Lamha ke liye bhi Allah Ta'ala na bheje ( Aameen )  

"__ Gaflat ki zindgi na guzaaro ,Apni Aakhirat ki taiyaari karo ,Ye maut ,Maut ke baad Qabr ki zindgi, Qabr ke baad Hashr aur uske baad Dozakh ,Ye holnaakiya'n aur Fitna Samaniyo'n se bachne ke liye Allah se Daro aur Nek Amaal ka zakhira taiyaar karo ,Allah Ta'ala Tofeeq ataa farmaye ,( Aameen)

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Qayamat Ke Din Ke Paanch Sawalaat _,*   
          
○┅✧ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k :- Bande ke qadam qayamat ke din Apne Rab ke paas se nahi hilenge yaha'n tak k usse Sawal kiya jaye Paanch cheezo ke bare mai :-

1- Uski Umr ke bare mai k usne Umr ko kis cheez mai fana kiya ?
2-- Aur uski Jawani ke bare mai k usne isko kis cheez mai guzara ?
3-- Aur uske Maal ke bare mai k usne isko kaha'n se haasil kiya ?
4- Aur ye k Maal kis cheez mai Kharch kiya ?
5-- Aur Jo Cheeze ( ilm ) usko maloom thi unme se kin cheezo per Amal kiya ?

*🗂 Tirmizi - 2/64 _*

○┅✧ Hazrat Abu Barzah Aslami Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - Bande ke qadam Apni Jagah se nahi hatenge yaha'n tak k usse ( chand cheezo ke bare mai) Sawal kiya jaye ,( aur WO unka maqool jawab de ,Avval ) 

"_Uski Umr ke bare mai ( Sawal kiya jayega ) k kis cheez mai khatm ki ?
( Dom ) Uske ilm ke bare mai k use kis cheez mai istemal kiya ?
( Som ) Uske maal ke bare mai k kaha'n se Kamaya ? Aur Kis cheez mai kharch kiya ? 
Aur ( Chaharam ) Uske badan ke bare mai k isko ( iski quwwato ko ) kis cheez mai kamzor kiya ?

*🗂 Tirmizi - 2/64 _,*

○┅✧ Yani Bande ko Apni Umr ,Apne maal ,Apne ilm aur Apni Badani Quwwato ke bare mai jawab dena hoga k in Tamaam cheezo ka istemal sahi kiya ya galat , Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke ahkaam ke mutabiq kiya ya unke khilaaf ? 

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Huqooq ul ibaad Ko Zaaya Karne Wala Qayamat Ke Din Muflis Hoga _,*   
          
○┅✧ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Jaante ho muflis kon hai ? 
Sahaba Raziyallahu Anhu ne arz kiya : - Ya Rasulallah ! Humme muflis WO Shakhs kehlata hai Jiske Paas Rupiya Paisa aur Maal v Mata na ho ,

Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- meri ummat mai muflis WO Shakhs hai Jo qayamat ke din Namaz ,Roza aur Zakaat le kar esi haalat mai aayega k kisi ko gaali di thi , Kisi per Tohmat lagayi thi , Kisi ka maal khaya tha ,Kisi ka khoon bahaya tha ,Kisi ko maara pita tha , Pas ye Tamaam log Apne Huqooq ka badla uski nekiyo'n se wasool karenge , Uske zimme Jo logo ke Huqooq hai'n, Agar unke poora hone se pehle uski nekiya'n khatm ho gayi to Ahle Huqooq ke gunaah le kar us per daal diye jayenge, fir use Dozakh mai faink diya jayega _,"

○┅✧ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se doosri Hadees mai manqool hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Allah Ta'ala us Shakhs per raham farmaye jiske zimme uske Bhai ka koi gasb karda Haq ho , Khwah uski izzat v aabru ke mutalliq ya uske maal ke mutalliq ,to uske paas Jaa kar usse maaf kara le , isse qabl k WO ( qayamat ke din un Huqooq ki vajah se ) pakda jaye aur Waha'n koi dirham v dinaar to hoga nahi ( Sirf Neki aur badi ka sikka chalega aur unhi ke zariye Waha'n Huqooq ki adaaygi hogi ) ,

Pas Us Shakhs ke paas agar Kuchh nekiya'n ho to uski nekiyo'n se mu'awza kiya jayega aur agar uske paas nekiya'n na hui to log ( Apne Huqooq ke badle mai ) us per Apne gunaah daal denge _," 

*🗂 Tirmizi- 2/ 64 _,*

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Qayamat Ki Ruswaayi Se Bache_,*   
          
○┅✧ Ahdees Tayyaba se maloom hua k hum Jo doosro ki Geebate karte hai'n, unko gaali  galoch karte hai'n , kisi ki tehqeer karte hai'n, Kisi ko jismani ya zahni takleef pahunchate hai'n, Ya kisi ka maal hazam kar jate hai'n to, dar asal ye uska nuqsaan nahi balki hum apna hi nuqsaan karte hai'n k qayamat ke din hume unka mu'awza Apni nekiya'n de kar ada karna hoga , Jab ek ek Neki ka Banda mohtaaj hoga,

○┅✧ Akabir Reh. Farmate hai'n k Huqooq ul ibaad ka maamla ek lihaaz se Huqooqullaah se zyada sangeen hai , Kyunki Haq Ta'ala Shanhu Gani hai maaf bhi kar denge ,Lekin bande mohtaaj hai'n, Unse ye tawaqqo k maaf kar de ,illa masha Allah ,

○┅✧ Ye bhi maloom hua k Huqooq ul ibaad ka maamla sirf insaano tak mehdood nahi ,balki haiwanaat tak faila hua hai , bavjood iske k haiwanaat Ahkaame Shaiya ke mukallif nahi ,lekin agar ek Bakri ne doosri Bakri se zyadti ki hogi to uska badla bhi dilaya jayega , Pas insaan Jo Apni aqal v shaour ki badaulat mukallif hai ,Agar usne kisi jaanwar per bhi zulm kiya hoga , Uska badla bhi use dilaya jayega , 

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Qayamat Ke Din Ke Pasine Ka Bayan_,*   
          
○┅✧ Hazrat Miqdaad Raziyallahu Anhu se rivayat hai k :- Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ko ye irshad farmate hue suna hai k :-

"__ Jab Qayamat ka din hoga ,Suraj bando ke qareeb laya jayega ,yaha Tak k meel do meel ke faasle per hoga _," 

Saleem bin Aamir Raziyallahu Anhu kehte hai'n k - mai'n nahi jaanta k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne kis meel ka iraada farmaya , aaya zameen ki musafat ka ? Ya wo meel ( yani surma ki salaa'i ) Jisse Aankho mai surma lagaya jata hai ? Pas Aftaab unki charbi pighla dega ,Pas log apne A'amaal ke baqadar paseene mai nahaye hue honge , Kisi ka paseena takhno Tak hoga , Kisi ka ghutno Tak ,Kisi ka Kamar Tak aur kisi ka mooh Tak pahuncha hoga _"

Hazrat Miqdaad Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maine Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Ko dekha k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne haath se Apne dahan mubarak ki taraf ishara kar ke farmaya k - baaz ka paseena unke moonh ko lagaam diye hue hoga _"

*🗂 Tirmizi -2/ 24-25_*

○┅✧ Ek Hadees mai Hai k Qayamat ke din logo ko is qadar Paseena aayega k unka Paseena zameen mai Sattar Gaz Tak jayega aur unke moonh mai lagaam ki tarag hoga , yaha Tak k unke kaano Tak pahunch jayega _" 

*🗂 Bukhari _*

○┅✧ Ahadees ka mudda'a ye Hai k hum khwabe gaflat se bedaar ho kar us khofnaak din ke liye Jo Bahar haal har ek ko pesh aana Hai ,Taitaari kare ,Un asbaab ko akhtyar kare jinke zariye un Ahwaal se chhuktkara naseeb ho , Humse Huqooqullah ,Huqooqul ibaad mai jitni kotaahiya hui hai'n ,unse Tauba kar ke unki talaafi ka ahtmaam kare aur Kareem Aaqa ki Baargaah mai hamesha iltija karte rahe k mahaz Apne lutfo karam v ahsaan se hume Qayamat ke din ki zillat v ruswaa'i se mehdooz rakhe , Duniya ki gandgiyo se paak saaf kar ke waha le Jaye aur Qayamat ke din Apne maqbool Bando ke saath hamara hashar farmaye ,( Aameen ) 
🎋
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
      *☞ Hashr Ka Bayan _,*   
          
○┅✧ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - Logo ko jama kiya jayega Qayamat ke din esi haalat mai k barhana pa , Barhana Badan aur gair makhtoon honge ,Jesa k Paida'ish ke waqt they , Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye Aayate kareema tilawat farmayi -

*_Surah Al-Anbiya, Aayat 104:*

*ِ كَمَا بَدَأْنَا أَوَّلَ خَلْقٍ نُّعِيدُهُ وَعْدًا عَلَيْنَا إِنَّا كُنَّا فَاعِلِينَ*

( Jesa k Sire se banaya Tha humne pehli baar ,fir usko dohrayenge ,waada zaroor ho chuka Hai hum per ,humko poora karna Hai )

__ Aur makhlooq mai se pehle Shakhsh Jinko libaas pehnaya jayega Wo Hazrat Ibrahim Nabiyana wa Alaihissalatu Wassalam honge ,Aur mere Ashaab mai se kuchh logo ko Daayi jaanib aur baaz ko Baayi jaanib ( yani dozakh ki taraf ) le Jaya jayega ,to mai'n Kahunga - Ya Allah ! Ye to mere Ashaab hai'n ,"

_ Pas kaha jayega k - Aap nahi jaante k inhone Aapke baad Kya kiya ? Aap jabse unse juda hue ye hamesha murtad rahe , 
Pas mai'n Kahunga Jess k nek Bande ( Hazrat Isaa Nabiyana Alaihissalatu Wassalam ) ne kaha - Ya Allah ! Aap inko azaab de to Aapke Bande hai'n aur agar Aap inki magfirat farma de to Aap zabardast hai'n ,hikmat wale hai'n _"

*🗂 Tirmizi - 2/65 _*

○┅✧ Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - log nange paanv ,Barhana Badan aur gair makhtoon uthaye jayenge , 
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha farmati hai'n k Maine arz kiya - Ya Rasulullah ! Kya Mard aur Aurte'n ek doosre ko dekh rahe honge ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya - maamla isse kahi sakht hoga k Kisi ko iska khayal bhi aaye , _"

*🗂 Sahih Bukhari _*


     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Wo Kaun Log Honge Jinko Hoze Kausar Se  Rok Diya Jayega ?,*   
          
○┅✧ Hadees Paak mai ye Bayan guzra Hai k Kuchh logo looks Baayi jaanib yani dozakh ki taraf le Jaya jayega to Aap Sallallahu Alaihivasallam farmayenge k ye to mere Ashaab hai'n , farmaya jayega - Aapko maloom nahi k inhone Aapke baad Kya kiya ? Ye log Aapke baad ulte paanv fir gaye they - 

"_ Ye guftgu galiban Hoze Kausar per hogi , Kyunki mut'addid Ahadees mai waarid hua Hai k jab Aap Sallallahu Alaihivasallam ki ummat Hoze Kausar per haazir hogi to Kuchh logo ko rok diya jayega ,is per ye guftgu hogi ,

○┅✧ Sahih Bukhari (Jild -1 Safa-490 ) mai imaam Bukhari Reh. Ke Shagird Fareri Reh. ne imaam Bukhari Reh ke hawale se unke Shekh Uqba Reh ka qaul naqal kiya Hai k isse muraad wo log hai'n Jo Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke daur mai murtad ho gaye they aur jinse Hazrat Siddiqe Akbar Raziyallahu Anhu ne qitaal kiya , 

_ Imaam Khatabi Reh farmate hai'n k - Ba Alhamdulillah Sahaba Kiraam Raziyallahu anhum mai se koi murtad nahi hua , Murtadeen Akhkhad qism ke dehaati baddu they , unme se aksar wo log  they Jinko Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazri ka moqa nahi Mila tha, aur Jo Chand hazraat haazir hue unhone bhi mahaz zaahiri ita'at qubool ki thi , haqeeqate imaan unke Dil mai raasikh nahi hui thi,

○┅✧ Baaz hazraat Farmate hai'n k isse munafiqeen muraad Hai aur baaz be kaha Ahle Kaba'ir ya Ahle Bid'at muraad Hai , 

"__Sahih Bukhari ,2/975 ) mai Hai k ibne Abi Malyka Taba'i Reh. Jab is Hadees ko rivayat karte to ye Dua kiya karte they - 
Ey Allah ! Hum is baat se Aapki Panaah chahte hai'n k hum ulte paanv lot Jaye ,Ya Apne Deen ke maamle mai fitne mai mubtila ho Jaye _"  

○┅✧ Sahih Bukhari ke Hasiye mai Allama Qustlani Reh se naqal kiya Hai k hamare Ulma ne farmaya k Wo tamaam log Jo Deen se Fir gaye , Ya Unhone Deen mai esi baat iyjaad ki Jo Allah ta'ala ke nazdeek na pasandida thi aur jiski ijazat nahi thi,  Ye log Hoze Kausar se hata diye jayenge , is fehrist mai wo log bhi hai'n Jo Musalmano ki jama'at ke khilaf rahe ,Jese Kharjiyo ,raafziyo aur motzaliyo ke tamaam firqe , Kyunki ye sab log Deen ko badalne wale hai'n ,Isi tarah  wo zaalim v maarif Jo Joro Sitam ke murtkab they ,Haq ko mitane wale aur Ahle Haq ko qatl karne wale aur logo ko gumraah karne wale they ,

"__  Neez Jo log Kabeera Gunaaho ka Elaniya irtkaab karte hai'n aur Gunaah ko halki cheez samajhte hai'n ,Ye log Hoze Kausar se mehroom rahenge ,

*_ Ya Allah hamara Khaatma bil khair farmaiye aur Hume un kaamyab logo mai se bana dijiye Jin per na koi khof hoga aur na wo gamgeen honge aur Hume hamare Nabi Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke Hoze Kausar se sairaab kijiye , Birahmatik ya Ar Hamar Rahimeen _"*

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Qayamat Ke Din Ki Peshi_,*   
          
○┅✧ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Qayamat ke din logo ki teen  Peshiya'n hongi ,pehli do peshiyo mai to bahas ,jhagda aur uzr ma'azrate hongi ,aur teesri peshi Naama A'amaal ( ke nata'ij ) haatho mai pakdaye jayenge ,Pas koi dahine haath mai Lega aur koi baaye haath mai _,"

*🗂 Tirmizi -2/65 _*

○┅✧ Yani do peshiyo mai to ye hoga k jab mujrimo ke saamne unke Naama A'amaal pesh kiye jayenge to wo inkaar ki koshish karenge ,k ye hamare A'amaal nahi hai'n ,hamare naam jhoot moot likh diye gaye hai'n, Kabhi kahenge k ,hamare pass koi darane Wala nahi aaya ,hum to bilkul be khabar they , Kabhi kahenge k , hamare bado ne Hume gumraah kiya ,hum to unke taabe they ,hamara koi qusoor nahi , Kabhi kahenge k , Hume Duniya mai dobara bhej diya Jaye ,hum nek aur farmabardaar ban kar aayenge ,

○┅✧ Algaraz is tarah so so uzr bahane kar ke jaan bachane ki koshish karenge magar ye sab bahane bekaar jayenge aur saari hujjato  ko ek ek kar ke tod Diya Jayega ,jab mujrimo ke pass koi hujjat baqi nahi rahegi to teesri peshi mai har ek ki qismat ka aakhri faisla kar Diya Jayega ,Allah ta'ala ke nek farmabardaar bando ko nihayat izzat v ikraam ke saath jannat ka parwana unke daaye haath mai Diya Jayega jise padh kar wo Khushi se baag baag ho jayenge aur mujrimo nafarmano ko laanat ka toq pehna kar unki saza ka faisla baaye haath mai Diya Jayega aur wo ba sadre zillat v khwari v asle jahannam honge ,


     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Hisaab Kitaab Ka Bayan_,*   
          
○┅✧ Hazrat Ummul Momineen Ayesha Siddiqa Raziyallahu Anha se rivayat hai k Maine Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko ye farmate hue suna Hai k :-

"__ Jis shakhs se hisaab mai munaqsha kiya gaya wo halaak ho gaya , So Jisko Mila A'amaal Naama uske daahine haath mai to usse Hisaab lenge asaan Hisaab _,"

*🗂 Al inshqaaq -5 Tarjuma Shekhul Hind ,*

○┅✧ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya:- isse muraad A'amaal Naama pesh hona Hai _,"

*🗂 Tirmizi -2/65*

○┅✧ *Tashreeh _* Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ko shubha ye Tha k Aayate Karima se to maloom hota Hai k Jin logo ka Hisaab hoga wo rahmat v magfirat ka morid honge aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke irshad se maloom hota Hai k jiska Hisaab hua wo halaak hua , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne wazahat farmayi k Aayate Karima mai Jis Asaan Hisaab ka zikr Hai wo ye Hai k Bande ka A'amaal Naama uske saamne pesh Kar ke usse chashm poshi v darguzar ka maamla kiya Jaye,uske kisi Amal per koi bahas aur Baaz purs na kiya Jaye, Kyunki is Baaz purs ka uske paas koi jawab nahi hoga , 

○┅✧ Qayamat ke Din Kareem Aaqa ka maamla har Shakhs ke saath uske hasbe haal hoga ,Baaz Sa'adat Mando ke bager Hisaab Kitaab jannat mai dakhil kiye Jane ka elaan farma diya jayega ,Baaz ke saath Asaan Hisaab ka maamla kiya jayega , Baaz ke saath mazeed ahsaan hoga k uske chhote chhote Gunaah pesh Kar ke farmaya jayega k -" in Gunaaho ko nekiyo'n mai tabdeel Kar diya Jaye _" 

"__ is be paaya fazal v ahsaan ko dekh Kar Banda be akhtyar pukaar uthega k -" Ya Allah ! Mere bade bade Gunaah to abhi baqi Hai ,wo to abhi pesh hi nahi hue ," Subhanallah ! Kya Shaane Karam Hai k Gunahgaro ko unke qusoor per Saza ke bajaye in'aam mil raha Hai aur mujrim rehmat ke nashe se sarshaar ho Kar khud Apne jurm ka izhaar Kar rahe hai'n ,

  
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Qayamat ke Din Zameen Ki Pusht insaano Per Gawah hogi_,*   
          
○┅✧ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ye Aayate Karima tilawat farmayi - ( Tarjuma ) us din Bayan karegi zameen Apni khabre , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- 

"__ Jaante ho Uski khabre Kya hai'n ?

_ Sahaba Kiraam Raziyallahu anhum ne arz kiya k - Allah Ta'ala aur uska Rasool Behtar Jaante hai'n ,

"_ Farmaya - uski khabre ye hai'n k Wo har Bande aur Bandi per Gawahi degi ,Jis shakhs ne Jo Amal uski Pusht per kiya Tha , Yu'n Kahegi k fala Shakhs ne fala fala din fala fala Amal kiya Tha, 

Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Allah Ta'ala ne zameen ko iska hukm diya ( aur hukme ilaahi se Bayan karegi ) _,"

*🗂 Tirmizi - 2/ 65 _*

○┅✧ insaan Jo nek ya bura Amal karta Hai uska ek record to ilme ilaahi mai mojood Hai , doosra lohe mehfooz Mai mehfooz Hai ,Teesra Kiraman Kaatibeen ke Naama A'amaal me likha ja raha Hai , Chotha insaan ke a'aza jaware mai record ho raha Hai ( ye bhi Gawahi denge ) Paanchwa Zameen ki satah mai record ho raha Hai , Jis tarah Audio Video mobile camera record karta Hai , isi tarah zameen bhi insaan ke achchhe bure A'amaal ko record Kar rahi Hai , 

○┅✧Aur Qayamat ke Din wo Apna tamaam record ugal degi ,aur insaan ke ek ek Amal per Gawahi degi k is Shakhs ne fala waqt Namaz nahi padhi thi, Chori ki thi ,Kisi na mahram ko buri Nazar se dekha Tha vagera vagera , Haq Ta'ala Shanhu Apni Shaane karimi se Bande ki parda poahi farmaye to uski rehmat Hai Varna jab insaani a'aza jaware aur zameen bhi uske khilaf shahadat dene lage to uski zillat v ruswaa'i ka Kya thikana Hai ! 


     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Soor Foonke Jane Ka Bayan _,*   
          
○┅✧ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- 

"__ Mai'n kese khush hou Halanki Soor Foonke wale fariahte ne Soor Apne moonh mai le rakha Hai aur hukme ilaahi ki taraf kaan lagaye hue Hai aur wo muntazir Hai k use kab Soor Foonke ka Hukm kiya jata hai ?

Raavi kehte hai'n k ye irshad goya Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Sahaba Raziyallahu anhum per Bahut hi bhaari guzra to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne unse farmaya - *_Hasbunallaahu wa ni'amal Vakeelu , Alallaahi tawakkalna ,* ( Allah Ta'ala humko kaafi Hai aur behtreen kaarsaaz Hai ,humne Allah hi per bharosa kiya Hai )_,"

*🗂 Tirmizi - 2/65_*

○┅✧ Soor Foonke ka zikr Qur'an e Paak mai Bahut si jagah aaya Hai , Soor Do baar foonka jayega ,ek jab Allah Ta'ala is Aalam ko fana karna chahenge to Israfeel Alaihissalam ko Hukm hoga ,Wo Soor foonkege ,Shuru mai iski awaaz Bahut dhimi aur surili hogi Jo tadrijan badhti jayegi Jisse insaan ,jinnaat ,parinde ,ccharinde sab madhoshi ke aalam mai bhagenge aur awaaz ki shiddat aur badhegi to sabke jigar fat  jayenge , Pahaad Reza Reza ho jayenge aur rooi ki tarah udne lagenge ,Asmaan fat jayega ,Sitaare jhad jayenge , bil Aakhir Asmaan v zameen fana ho jayenge ,aur zaate ilaahi ke Siva koi cheez baqi nahi rahegi ,

○┅✧ Kuchh arse baad ( Jiski miqdaar Baaz rivayat mai 40 Saal aayi Hai ) Allah Ta'ala Israfeel Alaihissalam ko zinda Kar ke fir Soor Foonke ka hukm denge Jisse Poora Aalam dobara vajood mai aa jayega ,Murde Qabro se uthenge aur maidane Hashr mai Hisaab Kitaab ke liye sab log jama honge ,

○┅✧ Qayamat ka Soor Foonka Jana nihayat holnaak Cheez Hai k zameen v Asmaan aur Pahaad bhi isko bardasht nahi Kar sakenge , Chunki ye manzar Aap Sallallahu Alaihivasallam ke peshe nazar rehta Tha isliye Aapne farmaya k mai'n kis tarah khush hou Jabki Soor Foonke Wala farishta use moonh Mai liye intezar mai khada Hai k use kab Hukm hota Hai ,

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Soor Ka Foonke Jana_,*   
          
○┅✧ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Jo Kuchh mai'n jaanta hu'n agar tumhe maloom ho jata to tum Bahut kam hansa karte ,Bahut zyada roya karte aur tumhara Khana Pina chhot jata aur tum bistaro per na so sakte aur Aurto'n ko chhod dete aur tum rote hue gidgidate hue Bahar sadko per nikal aate ,

__ Aur Mera ji chahta Hai k Kaash Allah Ta'ala ne mujhe darakht paida kiya hota Jisne kaat liya jata ( Ye Aakhri fiqrah galiban Abuzar Raziyallahu Anhu raavi  ki Hadees ka Hai ) _,"

*🗂 Mustadrak Hakim - 4/579 _*

○┅✧ Mustadrak Hakim ki Hadees mai Hai k Soor Foonke Wala farishta jabse is per muqarrar hua Hai usne jabse aankh nahi jhapki , balki uski nazare barabar arsh ki taraf lagi hui Hai k mubada Aankh jhapakne se Pehle hi usko Soor Foonke ka hukm ho Jaye , goya uski Aankhe chamakdaar Sitaare hai'n ,

○┅✧ Hafiz ibne Kaseer Reh. " Al nihaya fil fitn Val mulahim ,Jild 1- Safa 279" mai likhte hai'n :- Soor Ka foonka Jana teen baar hoga ,Avval se log ghabra jayenge ,aur doosre se behosh ho jayenge aur teesre se dobara zinda ho jayenge _,"

"__ Hafiz ibne Hajr Reh. ne " Fatahul Baari -11/ 329 " mai ibne Arbi se bhi yahi naqal kiya Hai,
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
          *☞Pul Siraat Ka Bayan _,*   
          
○┅✧ Hazrat Mugira bin Shoba Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-

"__ Ahle imaan Ka Sha'arar Pul Siraat per Rabbe Sallim Sallim ( Yani Ey Rab ! Salamti se paar kar dijiye )_,"

*🗂 Tirmizi - 2/66*

○┅✧Pur Siraat Jahannam ki pusht per qaa'im hoga Jo Baal se zyada baareek aur Talwar se zyada tez hai , Sab logo ko is per se guzarna hoga ,har shakhs ki raftaar uske A'amaal ke mutabiq hogi ,

""'_ Koi bijli ki tezi se guzar jayega ,Koi tayyaro ya parndo ki udaan ki tarah ,Koi nihayat tez raftaar ghode ki tarah ,Koi Aadmi ke daudne ki raftaar se ,Koi mamooli raftaar se, Koi rengta hua jayega aur Koi Kat Kat kar Jahannam mai girga ,

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ Nabi Kaeeem Sallallahu Alaihivasallam Ki Shafa'at _1,*   
          
○┅✧○┅✧ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Maine Nabi Kaeeem Sallallahu Alaihivasallam se darkhwaat ki k qayamat ke din meri Shafa'at farmaye , ,
Aap Sallallahu ne farmaya - zaroor karunga ,, 
Maine arz Kiya - Agar Pul Siraat per Aapse mulaqaat na ho sake to ?

Farmaya - To fir Mizaan ke paas talash karna ,
Maine arz Kiya - Agar Mizaan ke paas bhi Aapse na mil saku to ?
Farmaya- fir Hoze Kausar per mujhe talash karna ,Kyunki mai'n in teeno jagaho se chothi jagah nahi hounga _,"

*🗂 Tirmizi _*

○┅✧ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k ( ek dawat mai ) Nabi Kaeeem Sallallahu Alaihivasallam ke paas gosht laya gaya, pas dasti Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai pesh ki gayi aur gosht Ka ye hissa Aapko bahut margoob Tha , Aap Sallallahu Alaihivasallam ne daanto se ek baar noch kar tanawul farmaya aur irshad farmaya k :

"__ Mai'n qayamat ke din logo Ka Sardaar hunga ,Jaante ho esa kyu  hoga ? Allah Ta'ala tamaam Avvaleen aur Aakhireen ko ek saaf maidaan mai jama karenge ,Pas pukarne Wala unko awaaz suna sakega aur Nazar unse aar paar hogi , aur Aftaab unke qareeb hoga ,Pas logo ko Gam aur becheni is had tak laahiq hogi k unki taaqat aur had bardasht se bahar hogi ,

Pas log ek doosre se kahenge k - tum dekh nahi rahe k tumhari pareshani Ka Kya aalam hai ? Kya tum ese Shakhs ko nahi dekhte Jo tumhare Rab ke paas tumhari Sifarish kare ?

Log ek doosre se kahenge k ( is maqsad ke liye ) Aadam Alaihissalam ke paas Jana chahiye ,Chunache log Aadam Alaihissalam ke paas aayenge aur unse arz karenge k - Hazrat Aap Abul Basheer hai'n , Allah Ta'ala ne Aapko apne haath se paida Kiya ,Aapme Apni ( taraf se ) rooh daali ,aur farishto ko sajda Ka hukm farmaya to unhone Aapko Sajda Kiya ,Aap Apne Ra ke paas hamari Sifarish kijiye  ,Aap dekhte nahi k Hume kesi pareshani laahiq hai ?

Ye Sun kar Hazrat Aadam Alaihissalam farmayenge k - Aaj Mera rab eza gazabnaak hai k na Aaj se pehle kabhi esa gazabnaak hua aur na Aaj ke baad esa gazabnaak hoga ,aur usne mujhe darakht se Mana Kiya Tha lekin mai'n uska ye hukm poora na kar saka , Nafsi Nafsi Nafsi , Tum kisi aur ke paas jao ,Tum Nooh Alaihissalam ke paas jao ,

○┅✧ Chunache log Hazrat Nooh Alaihissalam ki khidmat mai haazir honge ,unse arz karenge k :- Aap pehle Rasool hai Jo Ahle zameen ki taraf bheje gaye ,aur Allah Ta'ala ne Aapka Naam " Shukr guzaar Banda " rakha hai ,Aap Apne Rab ke paas hamari Sifarish kijiye !Aap dekhte nahi k Hume kesi pareshani laahiq hai ?

Hazrat Nooh Alaihissalam farmayenge k :- Mera Rab Aaj esa gazabnaak hai k Aaj se pehle kabhi esa gazabnaak hua aur na Aaj ke baad kabhi esa gazabnaak hoga ,aur mere liye ek makhsoos Dua thi Jo maine Apni qaum per bad Dua kar ke poori kar li ,Nafsi Nafsi Nafsi ! Tum kisi doosre ke paas jao, Ibrahim Alaihissalam ke paas jao ,

○┅✧ Chunache log Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki khidmat mai haazir honge aur arz karenge k :- Aap Ahle zameen per Allah ke Nabi aur uske Khaleel they ,Aap Apne Rab ke paas hamari Sifarish kijiye ! Aap dekhte nahi k Hum kis haalat mai hai'n ,?

Hazrat Ibrahim Alaihissalam farmayenge k :- Mera Rab Aaj esa gazabnaak hua aur na Aaj ke baad kabhi esa gazabnaak hoga,aur maine teen baato mai toriya Kiya Tha ( Abu Hayaan Raavi ne Hadees mai un teen baato Ka zikr Kiya hai ) , Nafsi Nafsi Nafsi ! Tum kisi aur ke paas jao ,Moosa Alaihissalam ke paas jao,

○┅✧ Chunache log Hazrat Moosa Alaihissalam ki khidmat mai haazir honge unse arz karenge k :- Aap Allah Ta'ala ke Rasool hai'n,Allah Ta'ala ne Aapko Apne paigamaat aur bila waasta kalaam ke saath logo per fazilat di thi ,Aap Apne Rab ke paas hamari Sifarish kijiye ! Aap dekhte nahi k Hum kis haalat mai hai'n ?

Wo farmayenge k - Aaj Mera Rab esa gazabnaak hai k na Aaj se pehle kabhi esa gazabnaak hua aur na Aaj ke baad kabhi esa gazabnaak hoga,aur Maine ek ese Shakhs ko qatl kar Diya Tha Jiske qatl Ka mujhe hukm nahi hua Tha , Nafsi Nafsi Nafsi , tum log kisi doosre ke paas jao, Tum Iysaa Alaihissalam ke paas jao ,
○┅✧ Chunache log Hazrat Iysaa Alaihissalam ki khidmat mai haazir honge aur arz karenge k - Aap Allah ke Rasool hai'n aur Kalmatullaah hai'n Jo Allah Ta'ala ne Hazrat Mariyam ki taraf daala Tha aur Aap Allah Ta'ala ki taraf se aayi Hui rooh hai'n aur Aapne gahware mai baate ki thi ,Aap Apne Rab ke paas hamari Sifarish kijiye ! Aap dekhte nahi k Hum kis haalat mai hai'n ? 

Wo farmayenge - Mera Rab Aaj esa gazabnaak hai k na Aaj se pehle kabhi esa gazabnaak hua aur na Aaj ke baad kabhi esa gazabnaak hoga ,Aur Hazrat Iysaa Alaihissalam apna Koi qusoor zikr nahi karenge, Nafsi Nafsi Nafsi ! Tum log kisi doosre ke paas jao , Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke paas jao,

○┅✧ Chunache log Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke paas ( aur ek rivayat mai Hai k mere paas ) aayenge , Pas kahenge k - Aap Allah Ta'ala ke Rasool aur Aakhri Nabi hai'n aur Allah Ta'ala ne Aapke Sab agle pichhle qusoor maaf kar diye hai'n ,Aap Apne Rab ke paas hamari Sifarish kijiye ! Aap dekhte nahi k Hum kis haalat mai hai'n ?

Chunache Mai'n (Sifarish ke liye )chalunga ,Pas arsh ke niche pahunch kar Apne Rab ke saamne sajde mai gir jaunga ,Pas Allah Ta'ala mujh per Apni Hamdo Sana ke wo mazameen kholenge Jo mujhse pehle kisi per nahi khole honge ,

○┅✧ Fir farmaya jayega k - Ey Muhammad! Sar uthaiye ,maange Jo maangna chahte hai'n Aapko ata Kiya jayega aur Sifarish kijiye Aapki Sifarish suni jayegi , Pas Mai'n Sajde se Sar uthaunga aur arz karunga - Ey Rab meri ummat ! Ey Rab meri ummat ! Ey Rab meri ummat !

Pas Haq Ta'ala Shanhu irshad farmayenge k - Ey Muhammad ! Apni ummat ke un logo ko jinke zimme hisaab nahi ,jannat ke daaye darwaze se dakhil kijiye ,aur ye log doosre darwazo ke saath shareek hai'n ,

Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k - qasam Hai us zaat ki Jiske qabze mai Meri jaan Hai ! Jannat ke darwazo Mai se har ek darwaze ke do kiwado ke darmiyan faasla itna Hai jitna k Makka aur Hijr aur Makka aur Busra ke darmiyan Ka faasla Hai _,"

*🗂 Tirmizi - 2/ 66 _,*

 
     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
        *☞ _,Tashreeh -*   
          
○┅✧ Qayamat Ke Din Aap Sallallahu Alaihivasallam,Digar Ambiya Kiraam Alaihissalam Aur Mala'ika ka Shafa'at karna bar haq hai aur iske bare mai bahut si rivayaat waarid Hui Hai'n , Aur ye Shafa'at kai Qism ki hongi -

○┅✧1-Awwal Shafa'ate Kibraa - Ye Aap Sallallahu Alaihivasallam Ke Saath makhsoos Hai k Mahshar Ke Din ki Holnakiyo Aur Hisaab v Kitaab le band hone ki vajah se Ahle Mahshar is qadar Pareshan honge k log ye aarzu karenge k Hisaab v Kitaab khul Jaye chahe unhe dozakh mai hi bhej diya Jaye , Us Waqt Haq Ta'ala Shanhu Ahle imaan Ke Dil mai ye baat daalenge k Kisi barguzida hasti se is bandish ko khulwane ki Sifarish ki Jaye , Chunache baari baari Ambiya Alaihissalatu wassalam ki khidmat mai haazir honge Aur ye Sab Hazraat Jalaale ilaahi Ke Rob se is per amaada nahi honge ,Bil Askhir Sayyadul Mursaleen v Khatimul Nabiyyeen Sallallahu Alaihivasallam Ki khidmat mai Shafa'at ki darkhwast karenge ,Aap Sallallahu Alaihivasallam is darkhwast ko qubool farma Kar Baargahe ilaahi mai sajdah Rez honge ,Taveel sajde Ke baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Shafa'at ka Hukm Hoga Aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shafa'at se Hisaab v Kitaab Shuru ho jayega , Yahi wo *Maqame Mehmood* Hai Jiska Qur'an e Kareem mai Aap Sallallahu Alaihivasallam se Waada kiya Gaya Hai , Chunki ye Shafa'at tamaam Ahle Mahshar Ke Haq mai hogi ,isliye tamaam Avvaleen v Akhireen is per Aapki madah v Sana karenge ,

○┅✧ 2- Aap Sallallahu Alaihivasallam Apni Ummat Ke Bahut se Logo ko bager Hisaab v Kitaab Ke Jannat mai Jane ki Shafa'at farmayenge ,Jiska bayan is Hadees Ke Askhir mai Hai aur Baaz Akabir ke nazdeek ye Shafa'at bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam Ke Saath makhsoos Hai,

○┅✧3- Bahut se Ahle Jannat Ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shafa'at se unke darje se badh Kar maqamaate Aaliya Aur darjaate Rafiya ata kiye jayenge ,

○┅✧ 4- Bahut se Log jinki Neki Aur Badi ka palla masawi hoga ,Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shafa'at se Jannat mai dakhil Kiye jayenge,

○┅✧ 5- Bahut se Log Jo Apne A'amaal Ke lihaaz se Jahannam Ke mustahiq honge unko Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shafa'at se maaf Kar diya jayega Aur Jannat mai dakhil Kar diya jayega ,

○┅✧ 6- Bahut se Gunahgaaro Jo Jahannam mai Ja chuke honge unke Haq mai Shafa'at Hogi aur unhe Jahannam se nikaal liya jayega , Ye Shafa'at tamaam Ambiya Kiraam, Mala'ika Azaam aur Sulha Ke darmiyan mushtarak Hai ,

○┅✧7- Baaz Ahle dozakh Ke azaab mai Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Shafa'at se takhfeef Hogi ,Jesa k Abu Taalib Ke bare mai Ahdees mai Waarid Hai ,

○┅✧ 8- Jannat Ka Darwaza Kholne Ke Liye bhi Aap Sallallahu Alaihivasallam Shafa'at farmayenge Aur Sabse Pehle Aap hi Ke Liye khola jayega ,

"__ in Shafa'ato Ke alawa Baaz Khaas A'amaal walo Ke Liye bhi Waada E Shafa'at Ahadees mai aaya Hai ,Magar ye mindarja bala soorto mai hi dakhil Hai ,

*🗂 Tafseel Ke Liye Dekhiye - Fatahul Baari , Kitabur Raqaaq ,Baab Safatul Jannah Wal Naar _,*

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
  
*☞ _Hauz E Kausar Ka Bayan*   
          
○┅✧Abu Salam Habshi Kehte Hai'n k Hazrat Umar bin Abdul Azeez Reh . ne mujhe bula bheja , Chunache Mujhe Daak ki Sawari Per Sawaar Kiya gaya ,Mai'n unki Khidmat mai haazir hua to arz kiya :- Amirul Momineen ! Daak ki Sawari Per Sawaar hona mere Liye Badi mashaqqat ka baa'is hua ,

Farmaya - Abu Salam ! Mera maqsad Aapko Mashaqqat mai daalna nahi Tha ,Lekin mujhe ek Hadees Pahunchi Jo Hauze Kausar Ke bare mai Hazrat Sobaan Raziyallahu Anhu se Rivayat Karte Hai'n , Mai'n Wo Hadees Aapse bil musafa sunna chahta Tha , 

Abu Salam ne kaha k Maine Hazrat Sobaan Raziyallahu Anhu ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ka ye irshad Rivayat Karte hue suna k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Mera hauz Adn se Amaan bilqa Tak Hai ,iska paani Doodh se zyada Safed Aur Shehad se zyada Sheeri Hai , iske koze Asmaan Ke Sitaaro se zyada Tadaad mai Hai'n ,Jo Shakhs isse ek ghoont pi Lega uske baad use Kabhi pyaas nahi lagegi ,

Sabse Pehle Jo log mere Hauz per aayenge wo Fuqra Muhajireen honge ,Jinke Sar Ke Baal bikhre hue Aur Kapde mele kuchele Hai'n ,Jo Naazo Ni'amat mai Pali Hui Aurto'n se Nikaah nahi Karte Aur Jinke Liye gharo Ke darwaze nahi khole Jate ( Yani unhe gharo mai aane ki ijazat nahi milti ) ,

○┅✧ Hazrat Umar bin Abdul Azeez Reh ne farmaya- Lekin Maine to Naaz parwardah Aurto'n se Nikaah kiya Hai Aur mere Liye gharo Ke darwaze building khole Jate Hai'n , Maine Abdul Malik bin Marwaan Khalifa ki beti Shehzadi Fatima se Nikaah Kar rakha Hai , 

Mai'n ahad karta hu'n k jab Tak Baal Paragandah na ho Jaye Sar nahi dhoya karunga ,Aur Jab Tak Kapde mele kuchele na ho Jaye Kapde Saaf nahi kiya karunga _,"

*🗂 Tirmizi -2/67,*

  *┬ Is Kitaab se Likhe msgs Ko Hum itne per Hi Mukammal Kar rahe Hai'n ,Aage Jannat - Jahannam Ka Tafseeli Majmoon Hai , Jannat Ko hum Tafseel se Jannat Ki Raahe'n Aur Jannat Ke Haseen Manazir Mai Like Chuke Hai'n ,Aap Hamare Blog per Dekh Sakte Hai'n, Jahannam ko hum in Sha Allah Waqt Milne per Mukammal Karenge ,*

     ┬━─━─━─━─━─━─━─┬
             ★

     *ʀεғεʀεηcε:- ┬*   
  
*📁Maut aur Maut Ke Baad Ki Zindgi Ke Marahil- ( Shaheed-ul-islam Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Ludhiyanvi Reh.)* 

  💕 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*💕 
                          ✍
            *❥ Haqq Ka Daayi ❥*
     http://www.haqqkadaayi.com/
       *👆🏻Visit for All updates,*
          ┄─═✧═✧ ═✧═✧═─┄
                
*Telegram_*https://t.me/haqqKaDaayi

🍀🍃🎋

Post a Comment

 
Top