✨⚡⚵
⚵
❈ *Bismillahirrahmanirrahim* ❈
⚵
❈ *Bismillahirrahmanirrahim* ❈
╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
✿ *JANNAT-KE-HASEEN MANAZIR* ✿
╰•∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
✿ *JANNAT-KE-HASEEN MANAZIR* ✿
╰•∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
*☞ Nifli Roze Per Jannat mai Darakht ,*
⚃➠Hazrat Qais bin Zaid Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Hazrat Qais bin Zaid Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jis Shakhs ne Nifli Roza rakha Uske Liye Jannat mai ek darakht laga diya jata hai, Uska Phal Anaar se chhota aur Saib se bada hoga ,Uska Zayqa us Shahad Wala hoga Jisse mom ko saaf na kiya gaya ho aur uski mithaas Shahad wali hogi , Usse qayamat ke Din Allah Ta'ala us Roza rakhne wale ko khilayenge _,"
* Tabrani Kabeer (18/366) Majmauz Zawa'id (10/181-183) Kanzul ummaal ( 24152)*
*☞ Qarz Khwaah Ke Liye Jannat Ke Darakht,*
*☞ Qarz Khwaah Ke Liye Jannat Ke Darakht,*
⚃➠Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jo Shakhs Apne maqrooz ke paas Apne Haq lene ke liye rawana hota hai to uske liye Zameen ke jaanwar aur Paani Ki machhliya'n Rahmat Ki Dua karti hai aur uske liye har qadam ke badle mai jannat mai ek darakht ugta hai aur Uske gunaah ko maaf kiya jata hai _,"
*Badro Safrah (1879) Kanzul ummaal (15421) Majmauz Zawa'id (4/139)*
*☞Jannat Ke Bagaat Ke Phal Khane Ka Wazeefa,*
⚃➠Hazrat M'aaz bin Jabal Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Jo Shakhs ye Pasand Karta hai k WO Jannat ke Baago se Phal khaye to usko chahiye k WO Kasrat se Allah Ta'ala Ka zikr kare _,"
*Al Badro Safrah (1880) Kanzul ummaal (1887) Durre Mansoor (5/205) Tafseer Qurtubi (15/288)*
*Al Badro Safrah (1880) Kanzul ummaal (1887) Durre Mansoor (5/205) Tafseer Qurtubi (15/288)*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞Jannat Ke Pahaad ,*
⚃➠Hazrat Umr Auf Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
⚃➠Hazrat Umr Auf Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__( Duniya ke) Chaar Pahaad Jannat Ke Pahaado mai se Hai'n aur (Duniya Ki ) Chaar Nehre Jannat Ki nehro mai se Hai'n , aur ( Duniya Ki ) Chaar Junge'n Jannat Ki Jungo'n mai se Hai'n ,
➠Arz kiya gaya Kon se Pahaad (Jannat mai se) Hai'n ?
Irshad farmaya :-
1 -Uhad Pahaad , ye hum se muhabbat karta hai aur hum isse muhabbat karte Hai'n ,
➠Arz kiya gaya Kon se Pahaad (Jannat mai se) Hai'n ?
Irshad farmaya :-
1 -Uhad Pahaad , ye hum se muhabbat karta hai aur hum isse muhabbat karte Hai'n ,
2- Kohe Toor Jannat ke pahaado mai se ek Pahaad hai ,
3- Kohe Labnaan Jannat ke Pahaado mai se ek Pahaad hai ,
4- Jable Jodi Jannat ke Pahaado mai se ek Pahaad hai ,
➠Aur ( Jannat Ki ) Nehre :- Dariya e Neel , Dariya e Faraat , Dariya e Seehon ,aur Dariya e Jeehon hai'n ,
➠Aur Jungo'n mai se Junge Badar ,Junge Uhad , Junge Khandaq aur Junge Khaibar hai'n ,
➠Aur ( Jannat Ki ) Nehre :- Dariya e Neel , Dariya e Faraat , Dariya e Seehon ,aur Dariya e Jeehon hai'n ,
➠Aur Jungo'n mai se Junge Badar ,Junge Uhad , Junge Khandaq aur Junge Khaibar hai'n ,
*Tazkiratul Qurtubi, 2/446*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ki Nehre'n _,*
⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :- Bahisht hai'n k chalti hongi unke niche se nehre'n ,
*(Surah Al Baqrah -25)*
⚃➠Allah Ta'ala ka irshad hai :- Us (Jannat ) mai bahut si Nehre'n to ESE Paani ki Hai'n Jisme Zara tagayyur nahi hoga ( na boo mai na rang mai na maze mai ) aur bahut si Nehre'n Doodh ki hai'n Jinka zaayqa Zara badla hua na hoga , Bahut si Nehre'n Sharaab ( tahoor ) ki hai'n k peene walo ko bahut lazeez maloom hogi ,aur bahut si Nehre'n Shahad ki hai'n Jo bilkul ( mel kuchel se Paak ) saaf hogi aur unke liye Waha'n har qism ke Phal honge aur magfirat hogi unke Rab ki taraf se __,"
*Surah Muhammad : 15 ,*
. *Bayanul Qur'an ,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Nehro'n Ke Footne Ki Jagah _,*
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat Ki Nehre'n mushk ( Kastoori ) ke Pahaad se foot ti Hai'n_,"
*Al Badro Safrah-1911, Haadi AL Ravaah-241 Safatul Jannah Abu Naiem -306,*
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat mai 100 darjaat hai'n Jinko Allah Ta'ala ne mujahideene fi Sabilillah ke liye taiyaar farmaya hai ,Har do darjo ke darmiyan Asmaan v Zameen ke faaslo jitna faasla hai , Pas Jab Tum Allah Ta'ala se sawal karo to usse Jannatul firdaus maanga karo Kyunki ye jannat ke darmiyan mai ( buland hissa ) hai aur Sabse A'ala darje ki jannat hai ,usse ouper Allah Ta'ala ka arsh hai ,usi se jannat ki Nehre'n foot ti hai'n _,"
*Haadi AL Ravaah-239,Sahih AL Bukhari-2790 ,Safatul Jannah Abu Naiem -300 ,*
⚃➠Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat ki Nehre'n Jannate Adn se nikal kar gadhe mai badti hai Fir baad mai Nehro'n ki shakl akhtyar karti hai'n _,"
*Al Badro Safrah-1912, Haadi AL Ravaah-241 Safatul Jannah Abu Naiem ,3/166, Durre Mansoor-1/38*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Har Mahal mai 4 Nehre'n _,*
⚃➠Ibne Abdul Hakeem Reh.farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat ke mahallaat mai se har Mahal mai Chaar Nehre'n chalti hongi, Ek Nehar Paani ki chalti hogi ,ek Nehar sharaab ki chalti hogi ,Ek nehar Doodh ki chalti hogi aur ek Nehar Shahad ki chalti hogi aur unse us waqt tak nahi piya jayega jab tak k unme un chashmo ko na milaya jayega Jinka Allah Ta'ala ne ( Qur'an Kareem mai ) zikr farmaya hai ( Yani ) Tasneem aur Zanjabeel aur Salsabeel aur Kafoor aur ye (chaaro ) WO chashme hai'n Jinko Khaalis tor per ( bager milawat ke ) sirf muqarribaan e Khudawandi hi nosh karenge _,"
*Wasful Firdaus -26 (70)*
*☞ Duniya Ki Chaar Nehre'n Jannat se Nikalti Hai'n,*
⚃➠ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Mere Saamne Sidratul Muntaha ko ( saato Asmaan per ) pesh kiya gaya to ( Maine dekha k usse ) Chaar Nehre'n nikal rahi thi Do zaahir mai aur Do baatin mai , Zaahir ki do to ( Nehar ) Neel aur ( Nehar ) faraat hai aur Do baatin ki jannat ki Nehre'n hai'n _,"
*Sahih AL Bukhari-5610 ,Safatul Jannah Abu Naiem -302 ,Muslim-164 ,*
*Sahih AL Bukhari-5610 ,Safatul Jannah Abu Naiem -302 ,Muslim-164 ,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Nehre Kausar_,*
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n-
*إِنَّا أَعْطَيْنَاكَ الْكَوْثَرَ*
"_Humne Aapko Kausar ataa farmayi ,
"_Humne Aapko Kausar ataa farmayi ,
* Surah Al-Kauther, Aayat 1*
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ mai'n ek dafa jannat ki sayr kar raha tha k ek Nehar per pahuncha Jiske dono kinaaro per kholdaar lo lo ke qubbe they, Maine puchha -Ey Jibriyl ye kya hai ? Unhone arz kiya ye Kausar ( Nehar ) hai Aapke Rab ne Aapko ataa farmayi hai ,
Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n k fir ek farishte ne Apna haath ( Nehar ) per maara to uski mitti khaalis Kastoori ki ( nazar aa rahi ) thi _,"
*Bukhari -6581, Haadi AL Ravaah-239 ,Targeeb v Tarheeb -4/517 ,Musnad Ahmad-3/207 ,Kanzul Ummaal -39133*
⚃➠Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Kausar Jannat mai ek Nehar hai ,Uske dono kinaare sone ke hai'n, uske chalne ka raasta gohar aur Yaqoot hai ,Uski Mitti Kastoori se zyada Pakiza hai ,Uska Paani Samandar se zyada Safaid hai _,"
*Tirmizi -3361 ,Mustadrak -3/543 ,ibne maaja -4334, Waaful Firdaus -65*
*Tirmizi -3361 ,Mustadrak -3/543 ,ibne maaja -4334, Waaful Firdaus -65*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Hauz E Kausar_,*
⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu bayan karte hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Mera Hauz San'a se Urdun tak Taveel hai ,Iska Paani Doodh se bahut zyada safed hai aur Shahad se bahut zyada Sheeri hai aur Jhaag se bahut zyada naram hai ,iske kinaare Johar aur Yaqoot ke Tukdo ke Hai'n aur iske Kankar lo lo ke Hai'n , Iski khaak khaalis Kastoori ki hai ,iske sitaaro ki tadaad mai Pyaale hai'n, Jo Shakhs isse ek baar piyega fir WO Kabhi pyasa na hoga _,"
*Wasful Firdaus ,(67)-24,*
⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :-
"__Kya Tumhe maloom hai k Kausar Kya cheez hai ? Humne arz kiya - Allah aur uske Rasool behtar jaante hai'n,
(Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ):-
"__ Ye Ek Nehar hai mere parwardigaar ne mujhe iske ataa karne ka vaada farmaya isme inteha darje ki khair hai , Qayamat ke din meri Ummat iske paas aayegi ( aur iske Hauz E Kausar se Paani nosh karegi ) iske bartan sitaaro ki tadaad ke barabar hai'n _,"

*Safatul Jannah Abu Naiem -325, ibne Abi Sheeba -11/437_438,Abu Daowd-784,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Nehre Baydakh _,*
⚃➠Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannat mai ek Nehar hai ,Jiska Naam Baydakh hai , Us per Yaqoot ke Qubbe hai'n Jinke niche Ladkiya'n Ugti hai'n aur Khoobsurat Awaaz mai Qur'an Padhti hai'n,
__Jannati Aapas mai kahenge Hamare Saath Baydakh ki taraf chalo , Chunache WO Aayenge aur Ladkiyo'n se musaafe karenge , Jab Koi Ladki kisi Mard ko Pasand Ayegi to Woh uski Kalaayi ko chhoo lega to WO Ladki uske Pichhle chal padegi aur Uski Jagah Doosri Ladki ug aayegi _,"
* Safatul Jannah ibnud duniya -69, Safatul Jannat Abu Naiem -324 ,Haadi AL Ravaah-243, AL Badro Safrah-1922 ,Musnad Ahmad-3/135*
⚃➠Shamar bin Atiya Reh.farmate hai'n k Jannat mai Kuchh Nehre'n esi hai'n Jo Ladkiya'n ugaati hai'n, Ye Ladkiya'n mukhtalif Awaaz mai Allah Jal Shanhu ki Hamdo Sana karti hai'n k Wesi Khoobsurat Awaaze kaano ne Kabhi nahi suni ,
__WO Kehti hai'n __Hum hamesha rehne waliya'n hai'n Kabhi nahi marengi Hum Libaas Pehanne Waliya'n hai'n Kabhi be-libaas na hongi ,
Hum hamesha ni'amato mai palne waliya'n hai'n Kabhi bhooki na hongi ,aur hum hamesha ni'amato mai rehne waliya'n hai'n Kabhi ranj v takleef mai na jayengi _,"
* Safatul Jannah Abu Naiem-323*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Nehre HarDil _,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat mai ek Nehar hai Jiska Naam HarDil hai Uske dono Kinaaro per Darakht uge hue hai'n, Jab Jannati Sima Ki Khwahish karenge hamare Saath hardil ki taraf chalo taki hum darakhto se ( Khoobsurat aur dilkash Awaaz ) sune ,Chunache WO esi ( Khoobsurat) Awaazo mai bolenge k agar Allah Ta'ala ne jannatiyo ke na marne ka faisla na kiya hota to ye un awaazo ke shoq aur tarb mai mar jate ,
_ Pas Jab Un khoobsurat Awaazo ko ( Darakhto per lagi hui ) Ladkiya'n sunengi to WO Arbi Zubaan mai ( nihayat Khoobsurat andaz v Awaaz mai ) Arbi zubaan mai ( Kuchh ) padhengi To Allah Ta'ala ke Wali unke qareeb jayenge aur har ek un Ladkiyo'n mai se Jisko Pasand Karega tod lega fir Allah Ta'ala un Ladkiyo'n ki jagah Wesi hi aur Ladkiya'n ( us darakht ko ) laga denge _,"
*Safatul Jannah Abu Naiem-3/163,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Sharaab Ki Nehar _,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ::-
"__ Jis Shakhs ko ye baat achchhi lage k Allah Ta'ala usko Akhirat ( jannat ) mai Sharaab ( Tahoor) pilaye to usko chahiye k WO usko ( Sharaab ko ) Duniya mai chhod de ( na piye ) ,
*Nihaya Ibne Kaseer -2/362 ,Majmauz Zawa'id-5/76 Ba-hawala Tabrani ,Tazkiratul Qurtubi -2/448 Ba-hawala Nasa'i ,Targeeb v Tarherb -3/262,100*
*⚃➠Faayda__* _ Jo Shakhs Duniya mai Sharaab peene ke baad usse Tauba kar le to WO Shakhs is Dhamki se mustashna hoga _,"
*⚃➠Faayda__* _ Jo Shakhs Duniya mai Sharaab peene ke baad usse Tauba kar le to WO Shakhs is Dhamki se mustashna hoga _,"
*Tazkiratul Qurtubi, 2/449*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Nehre Baariq_v Nehre Rayyaan,*
⚃➠ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Shohda Hazraat Jannat ke darwaze per sabz qubbe mai ek Nehar hai usme rehte hai'n Unki taraf Jannat se Subeh v Shaam Rizq pahunchta hai _,"
*Musnad Ahmad- 1/266, Majmauz Zawa'id-5/294-298,Tabrani -10/405 , Durre Mansoor-2/96, Kanzul Ummaal-11099, Targeeb v Tarheeb -2/323,*
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat mai ek Nehar hai Jiska Naam" Rayyaan " hai ,Us per ek Shehar Marjaan se tabeer kiya gaya hai Jiske Sattar Hazaar Sone Chaandi ke darwaze hai'n aur Ye Hafize Qur'an ke Liye hai _,"
*Al Badro Safrah-1925 ,Kanzul Ummaal -1/550*
*Al Badro Safrah-1925 ,Kanzul Ummaal -1/550*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Barabar Taveel Nehar_,& Nehre Rajjab*
⚃➠Abu Saleh Kehte hai'n k Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n , Jannat mai Jannat ki Lambayi ke barabar ek Nehar hai ,Jiske Dono kinaaro per Kunwari Ladkiya'n doosri ke aamne Saamne khadi Hai'n aur Jinki Khoobsurat Awaazo ko makhlooqaat sunti hai ,Unse Zyada Haseen Awaazo mai nagma saraai karti hai'n Hattaki Jannati Jannat mai esi lazzat aur na payenge ,

Maine Puchha - Ey Abu Huraira! Ye kis cheez ki nagma saraai karengi ?
To unhone farmaya:- in sha Allah Tasbeeh aur Hamd aur Taqdees aur Allah Ta'ala ki Sana Karengi _,"
To unhone farmaya:- in sha Allah Tasbeeh aur Hamd aur Taqdees aur Allah Ta'ala ki Sana Karengi _,"
*Durre Mansoor -1/38, AL Ba'as v AL Nushoor -425*
⚃➠Rajjab Ke Mahine ko Rajjab isliye kehte hai'n k Jannat mai ek Nehar hai Jiska Naam Nehare Rajjab hai , Us Nehar se Wahi hazraat piyenge Jo Maahe Rajjab mai Roze rakha karte they _,"
*Kanzul Madfoon ,140*
*Kanzul Madfoon ,140*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Arsh Ke Chaar Chashme _,*
⚃➠Hazrat Hasan Basri Reh. farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Hazrat Hasan Basri Reh. farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat mai Chaar chashme (ESE) hai'n k unme se do chashme to Arsh ke niche se foot te hai'n, Ek ka zikr to Allah Ta'ala ne "tafjeer ", farmaya hai aur doosra Chashma Zanjabeel hai ,Aur Do chashme Arsh ke ouper se foot te hai'n unme se ek to WO hai Jiska zikr Allah Ta'ala ne Salsabeel ke saath kiya hai aur Doosra chashma Tasneem hai _,"
*Al Badro Safrah-1932*
*⚃➠Chashma Tafjeer _* ibne Shoeb Reh farmate hai'n k Jannatiyo ke paas sone ki laathiya'n hongi unke saath ishara kar ke us chashme ko bahayenge aur WO chashma unki un laathiyo'n ke ishare per usi taraf ko behta hoga,
*Al Badro Safrah -1931,*
*⚃➠Chashma Tasneem,* __ Hazrat Ata Reh farmate hai'n k Tasneem WO chadhma hai Jisme Sharaab ki milawat ki jayegi ,
*⚃➠Chashma Tasneem,* __ Hazrat Ata Reh farmate hai'n k Tasneem WO chadhma hai Jisme Sharaab ki milawat ki jayegi ,
*Al Badro Safrah-1927*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Josh Maarne Wale Aur Lagataar behne wale Chashme_,*
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Ye dono ( Josh Maarne wale Aynaan Naza Khataan) chashme Jannatiyo ke mahallaat per mushk v Ambar ki fuware dalenge ,Jis tarah se Duniya walo ke gharo per Barish ki fuwaar padti hai ,"
*Haadi AL Ravaah-237, Targeeb v Tarheeb ,4-519*
"_ Aur Mukhtalif Qismo ke Mewe bhi barsayenge ,"
"__ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ye dono ( Josh Maarne wale Aynaan Naza Khataan) chashme Paani ki Fuwaar dalenge ,"
*Al Badro Safrah-1929-1930*
⚃➠Allah Ta'ala ka irshad -" un dono Baago mai do chashme honge Jo behte chale jayenge _," ( Surah Ar- Rahman -50) ki Tafseer mai Hazrat Bara'a bin Aazib Reh farmate hai'n k ye dono Chashme Aynaan Naza Khataan se Afzal hai'n ,
*Al Badro Safrah-128*
*Al Badro Safrah-128*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Jaanwar Aur Sawaiya'n_,*
⚃➠Hazrat Abu Masoud Ansari Raziyallahu Farmate hai'n k ek Shakhs Muhaar wali Ountni le kar Haazir hua aur arz kiya Ye Allah ke Raaste mai hai ,To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Hazrat Abu Masoud Ansari Raziyallahu Farmate hai'n k ek Shakhs Muhaar wali Ountni le kar Haazir hua aur arz kiya Ye Allah ke Raaste mai hai ,To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Tere liye Qayamat ke Din Saat So ( 700) Ountniya'n hongi ( aur ) Sabki Sab muhaar wali hongi ,"
* Tazkiratul Qurtubi-2/486, Bahyqi -9/118 ,Mishkaat-3799,Durre Mansoor-1/336*
⚃➠Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Bakriya'n Jannat ke Jaanwar hai'n ,"
*Ibne maaja -2306 ,AL Badro Safrah-2129*
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :
"__ Bakri se Husne Sulook karo aur usse Ko door karo Kyunki ye jannat Ke Jaanwaro mai se hai ,"
* AL Badro Safrah-2130, Tazkiratul Qurtubi-2/488*
⚃➠Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Bakriyo'n ko ( Apne Paas ) rakha karo Kyunki ye jannat ke Jaanwaro mai se hai ,"
*Tabrani , AL Badro Safrah-2132, Kanzul Ummaal-35226, Majmauz Zawa'id-4/67*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat mai Jane Wale Duniya Ke Jaanwar_,*
⚃➠Ibne Najeem Reh farmate hai'n k Jaanwaro mai se Paanch Jaanwar Jannat mai Jayenge :-
⚃➠Ibne Najeem Reh farmate hai'n k Jaanwaro mai se Paanch Jaanwar Jannat mai Jayenge :-
1- Ashaabe Kahaf ka Kutta,
2- Hazrat Ismaiyl Alaihissalam ka Dumba ,
3- Hazrat Saaleh Alaihissalam ki ountni ,
4- Hazrat Uzer Alaihissalam ka gadha aur,
5- Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Burraaq ,"
2- Hazrat Ismaiyl Alaihissalam ka Dumba ,
3- Hazrat Saaleh Alaihissalam ki ountni ,
4- Hazrat Uzer Alaihissalam ka gadha aur,
5- Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Burraaq ,"
* Ibne Najeem -4/131 Ba-hawala Mustarif ,*
⚃➠Hazrat Qatada Reh ke Hawale se Paanch Jaanwaro ka mazeed Zikr kiya hai :-
6- Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki ountni Mubarak,
7- Hazrat Moosa Alaihissalam Ki Gaay ( Cow ) ,
8- Hazrat Yunus Alaihissalam ki Machhli ,
9- Hazrat Suleiman Alaihissalam ki Chyunti ( ant ) ,
10- Hazrat Bilqees Ka Hud Hud ,
7- Hazrat Moosa Alaihissalam Ki Gaay ( Cow ) ,
8- Hazrat Yunus Alaihissalam ki Machhli ,
9- Hazrat Suleiman Alaihissalam ki Chyunti ( ant ) ,
10- Hazrat Bilqees Ka Hud Hud ,
*Mishkaatul Anwaar*
⚃➠Aur Allama Saiwti ne Deewanul Haafiz mai Hazrat Yaqoob Alaihissalam ke Bhediye ka bhi zikr kiya hai aur Allama Saiwti ke Shagird Allama Daowdi Reh ne Ba-hawala Saiwti Reh Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Dul Dul Khachchar ka bhi zikr kiya hai k WO bhi Jannat mai jayega ,

Aur Mishkatul Anwaar Sharah Shar'atul islam mai hai k Ye Sab Jaanwar Dunba ki Shakl mai jannat mai dakhil honge ,
. *Sharah AL Shibaah ,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Parinde_Bakhti Ount Ke barabar Parinde,*
⚃➠Allah Ta'ala ka irshad hai :-
⚃➠Allah Ta'ala ka irshad hai :-
*وَلَحْمِ طَيْرٍ مِّمَّا يَشْتَهُونَ*
"__Aur Parindo ka gosht hoga Jo unko margoob hoga ,
* Surah Al-Waqia, 21*
⚃➠Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat mai Bakhti Ount ke barabar ( bade bade ) Parinde honge ,
Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne arz kiya:-Ya Rasulullah ! Fir to WO ( jannat mai ) bade aysh v nishaat mai rahega ?
Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne arz kiya:-Ya Rasulullah ! Fir to WO ( jannat mai ) bade aysh v nishaat mai rahega ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- isse zyada aysh v nishaat mai WO Shakhs hoga Jo usko khayega aur Ey Abu Bakar ! Aap bhi un logo mai se hai'n Jo usse khayenge ,"
*Al Badro Safrah-2124, Safatul Jannah Abu Naiem, Mustadrak Haakim ,ibne Abi Sheeba ,Majmauz Zawa'id,*
⚃➠Hazrat Hasan( Basri) Reh farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat mai Bakhti Ount ke barabar Parinde honge Jab WO Jannati ke paas aayenge to Jannati usse khayenge Fir WO Parinda us haalat mai ud jayega Goya usse kuchh bhi kam nahi hua _",
*Kitabuz Zuhad -118 Zuhad ibne Mubarak-525 AL Badro Safrah-2126,*
*
┅┅━━═۞═━━┅
*Kitabuz Zuhad -118 Zuhad ibne Mubarak-525 AL Badro Safrah-2126,*
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannatiyo Ki Pehli Mehmani - ,*
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Zameen Qayamat ke din Roti ki Shakl mai hogi Jisko garam karne ke liye Garam Rait per rakh diya jayega , Allah Ta'ala usko apne haath mai is tarah se ulat pulat karenge jis tarah se tumme koi ek apni Roti ko safar mai ulat pulat karta hai ,
__ Yahi ( Jannat mai ) Jannat walo ki ( Sabse Pehli ) mehmani hogi .........unka saalan Balaam aur Non ka hoga ,
Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz kiya ye kya cheez hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,Bail aur Machhli hogi ,( aur ye itne bade honge k ) us Machhli aur Bail ke Jigar ka alag latakne Wala tukda Sattar hazaar jannati khayenge ,"

*Muslim mukhtasar ,Bukhari-2520 ,Tazkiratul Qurtubi-2/520,*
⚃➠Hazrat Taariq bin Shahaab Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Yahoodi Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai haazir hue aur Kaha, Aap hume ye bataiye k Jannati jannat mai dakhil honge to Sabse pehle kya khayenge ? Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya, WO Sabse pehle Machhli ka jigar khayenge ,"

*Majmauz Zawa'id-10/413 ,Tabrani ,*
⚃➠Hazrat Ka'ab Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jab Jannati Jannat mai dakhil honge to unko Allah Ta'ala farmayenge ,Har mehmaan ke liye Kuchh Tohfa hota hai ,Mai'n bhi Aapko aaj Tohfa dunga ,Fir Bail aur Machhli ko pesh kiya jayega aur Jannat Walo ke liye unko Zibah kar ( ke khila ) diya jayega _,"
*Zawa'id Zuhad ibne Mubarak-432, Haadi AL Ravaah-211*
*Zawa'id Zuhad ibne Mubarak-432, Haadi AL Ravaah-211*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Parindo Ki Charagaahe'n aur Chashme,*
⚃➠Hazrat Abu Darda Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Hazrat Abu Darda Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat mai Bakhti Ount ki taraf ounche ounche Parinde honge Jo Allah ke Wali ke Saamne aa kar bethenge ,Unme se ek kahega Ey Allah ke Wali ! Mai'n Arsh ke niche Khoobsurat Jannat mai charta raha hu'n aur Tasneem Ke chashmo se Peeta raha hu'n Aap mujhse tanawul farmaiye ,
__Fir Wali Allah ke Saamne ( Apni ) tareef karne mai laga rahega Hattaki jannati ke Dil mai un Parindo mai se Kisi ek ke khane ka iraada hoga to WO parinda us Jannati ke Saamne mukhtalif zaayqo ke Saath gir padega aur WO usse Apni talab ke mutabiq khayega aur jab sayr hoga to Parinde ki haddiya'n Jama ho jayengi aur WO ud kar jannat mai jaha'n chahega charna shuru ho jayega ,
__Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne arz kiya Ya Nabi Allah ! Ye Parinda to bade maze mai hoga ?
Aapne irshad farmaya ,Us Parinde ko tanawul karna isse bhi zyada aysh v Nishat rakhta hai _,"
__Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne arz kiya Ya Nabi Allah ! Ye Parinda to bade maze mai hoga ?
Aapne irshad farmaya ,Us Parinde ko tanawul karna isse bhi zyada aysh v Nishat rakhta hai _,"
* Tazkirah fi ahwaal AL maut v umoor Akhirat,-2/485 ,Safatul Abu Naiem-342 ,Ahmad -3/220-221, Tirmizi -2542*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Khana Pina aur Qaza e Haajat,*
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
*إِنَّ الْمُتَّقِينَ فِي ظِلَالٍ وَعُيُونٍ*
*وَفَوَاكِهَ مِمَّا يَشْتَهُونَ*
*كُلُوا وَاشْرَبُوا هَنِيئًا بِمَا كُنتُمْ تَعْمَلُونَ*
* Al-Mursalat, Aayat 41:42:43*
*وَفَوَاكِهَ مِمَّا يَشْتَهُونَ*
*كُلُوا وَاشْرَبُوا هَنِيئًا بِمَا كُنتُمْ تَعْمَلُونَ*
* Al-Mursalat, Aayat 41:42:43*
*⚃➠Tarjuma_,* Parhezgaar Log Saayo mai aur Chashmo mai aur margoob maiwo mai honge ( aur unse kaha jayega ) apne ( nek ) A'amaal ke Sile mai Khoob maze se khao piyo ,Hum Nek logo ko ESA Sila diya karte hai'n ,
⚃➠Allah Ta'ala mazeed irshad farmate hai'n :-
⚃➠Allah Ta'ala mazeed irshad farmate hai'n :-
"__ Fir jis Shakhs ka A'amaal naama uske Dahine haath mai diya jayega to ( khushi ke maare aas paas walo se ) kahega k mera A'amaal naama padh lo ,mera ( to Pehle hi se ) aitqaad tha k mujhe mera hisaab pesh aane Wala hai ,Garz WO Shakhs Pasandida aysh ( Yani ) Bahisht mai hoga ,Jiske maiwe ( is Qadar ) jhuke honge ( k jis haalat mai chahenge le sakenge aur hukm hoga k ) khaao piyo maze ke saath un A'amaal ke sile mai Jo Tumme Ba ummeed guzishta dino ( Yani Duniya ki zindgi mai ) mai kiye hai'n ,
* Surah Haaqqa :-19 se 24 ,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Khana Aur Qaza E Haajat ,*
⚃➠Hazrat Zaid bin Arqam Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ek Yahoodi Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat e Aqdas mai haazir hua aur Puchha , Ey Abu Qasim ( Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ) Aapka khayal hai k Jannati khayenge bhi aur Piyenge bhi ?

Aapne irshad farmaya :- mujhe us zaat ki qasam hai Jiske qabze mai meri jaan hai ,Jannatiyo mai se har Shakhs ko khaane ,Pine ,Jima aur Khwahish mai ek so Aadmiyo ki taaqat ataa ki jayegi ,
Usne arz kiya , Fir Jo Shakhs khata aur pita hai usko haajat bhi hoti hai ?
Aapne irshad farmaya :- Unki ( Qaza e ) haajat ek qism ka pasina hoga Jo unki jildo se beh jayega Kastoori ki khushbu ki tarah ,Jab ye ( Pasina ) nikal jayega to uska Pet sikud jayega _,"
* Musnad Ahmad-4/371-372 ,Ibne Abi Sheeba -13/108 ,Targeeb v Tarheeb -4/524 ,*
⚃➠Ibne Abdul Hakam Reh .se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad Farmaya :-
"__ Jannat walo mai se ek Shakhs Luqma le kar apne moonh mai dalega fir Apne Dil mai Kisi aur khane ka khayal karega to WO Luqma us khaane mai tabdeel ho jayega Jiski usne tamanna ki hogi _,"
*Wasful Firdaus, 80*
*Wasful Firdaus, 80*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Adna Jannati Ka Khana _,*
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannatiyo mai adna darje mai WO Shakhs hoga Jiske Saat darjaat honge Ye Chhate ( 6 ) darje mai hoga isse ouper Saatva darja hoga , Iske Teen so khuddaam honge iske Saamne rozana Subeh aur Shaam ka khana teen so bade pyaalo mai pesh kiya jayega ,
__Raavi kehte hai'n k mujhe maloom nahi magar usne yahi kaha tha k WO ( pyale ) sone ke honge ,Har Pyale mai ESE qism ka khana hoga Jo doosre mai na hoga ,Aur ye jannati uske Pehle khane se bhi Wesi hi lazzat payega Jesa k Aakhri se payega aur Pine ki cheezo ke bhi teen so bartan honge ,har Bartan mai esa Sharbat aur Pani hoga Jo doosre mai na hoga aur WO uske Pehle bartan se bhi wese hi lutf andoz hoga jese k Aakhri se lutf andoz hoga ,Balki ye( tamanna karte hue ) kehta hoga Ya rab ! agar Aap mujhe ijazat dete to mai tamaam jannat walo ko khilata pilata aur Jo Kuchh mere paas hai usse Kuchh bhi kam na hota ,
*Wasful Firdaus ,79*
*Wasful Firdaus ,79*
⚃➠Hazrat Hasan Reh. Se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannatiyo ka dakaar mushk ki khushbu ki tarah hoga , ye Qaza e Haajat ke qaa'im muqaam hoga aur Unka Pasina Mushk ki khushbu ki tarah hoga aur ye Peshab ke qaa'im muqaam hoga,
* Wasful Firdaus ,86*
⚃➠Hazrat Ka'ab Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannatiyo mai se har ek ke paas Dastar Khwan per sone ke Sattar Hazaar bade Pyaale honge ,
. *Wasful Firdaus ,81*p
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Peene Ki Lazzato Ki Tafseel_,*
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"__ Nek Log badi Asaa'ish mai honge , Masahriyo per ( bethe bahisht ke aja'ibaat ) dekhte honge ,Ey Mukhatib ! Tu unke chehro mai Asaa'ish ki bashashat pehchanega aur Unko Peene ke liye Sharaab Khaalis Jis per mushk ki mohar lagi hogi milegi aur hirs karne walo ko esi hi cheez ki hirs karna chahiye,
__ ( k hirs ke laa'iq yahi hai ,Chahe Sharaab muraad li jaye chahe jannat ki Mukammal ni'amate , Yani Shoq v ragbat ki cheez ye ni'amate hai'n na k Duniya ki naqis aur faani lazzate ,aur unke haasil karne ka tareeqa nek A'amaal hai'n ,Pas unme koshish karna chahiye )
__aur us Sharaab ki Aamzish ( milawat ) Tasneem ke Paani se hogi ( Arab amuman Sharaab mai Paani mila kar peete they to us Sharaab ki Aamzish ke liye Tasneem ka Paani hoga ,Tasneem ki Sharah ye hai k ) Ek ESA Chashma hai Jisse muqarrab log Paani piyenge,
_ ( Yani muqarrab hazraat ko Tasneem ka Khaalis Paani milega aur Nek logo ko iska Paani doosri Sharaab mai mila kar milega aur ye muhar lagna ikraam aur aizaaz ki alamat hai varna waha esi Hifazat ki zarurat nahi hogi aur mushk ki muhar ka matlab ye hai k jese Qa'ada hai k laakh vagera laga kar us per muhar lagate hai , Waha Sharaab ke bartan ke moonh per mushk laga kar us per muhar kar di jayegi ),
* Tafseer Bayanul Qur'an -Surah AL mutaffeen ,Aayat 24 se 28 _*
* Tafseer Bayanul Qur'an -Surah AL mutaffeen ,Aayat 24 se 28 _*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Lazzate Sharaab Ki inteha,*
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"__ (Tarjuma ) Waha'n ( jannat mai ) Aapas mai ( bator Khush taba'i ke ) Jaame Sharaab mai chheena Jhapti bhi karenge k usme ( Sharaab mai ) na bak bak lagegi ( Kyunki nasha na hoga ) aur na aur koi behuda baat ( aqal v sanjeedgi ke khilaf ) hogi _,"
* Surah At Toor -23,*
⚃➠Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Agar Allah Ta'ala Jannatiyo ke liye ye faisla na farmate k WO Aapas mai Jaam ki chheena Chhapti karenge to WO Lazzat ki vajah se us Jaam ko Kabhi Apne moonho se juda na karte ,_"
*Wasful Firdaus ,(71) 26,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Sharaab Ki Chhagal v Bartan*
⚃➠Hazrat Abu Umama Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannatiyo mai se har Shakhs Jannat ki Sharaab mai se Jab bhi kisi pine ki cheez ki Khwahish karega uske paas chhagal pesh ho jayegi aur uske haath mai aa mojood hogi Chunache usse piyega fir WO Apni jagah laut jayegi _,"

*Ibne Abid Duniya Safatul Jannat -132, AL Badro Safrah-1941, Targeeb v Tarheeb -4/524*
⚃➠Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k agar tum Duniya ki chaandi se Kuchh le kar usko itna bareek karo k usko makkhi ke par ki tarah kar do tab bhi uske pichhe se tumhe Paani nazar nahi aayega Lekin Jannat ke sheeshe chaandi ki tarah safed honge aur Sheeshe ki tarah saaf honge _,"

*Safatul Jannat ibne Abid Duniya -139, Tafseer ibne Jareer -13/30*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Duniya mai Pyase Ko Pani Pilane ka Ajr aur Jannat mai Sharaab se Mehroon kaun Rahega ?,*
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__ Jo Momin kisi Momin ko Pyas ki haalat mai ek ghoont Paani ka pilayega ,Allah Ta'ala usko Qayamat ke din Raheeq Makhtoom se Pilayenge _,"
* Musnad Ahmad-3/14 ,Tirmizi -2449 ,*
⚃➠Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jis Shakhs ne Duniya mai Sharaab pi aur Usse Tauba na ki to uske liye Akhirat mai Sharaab haraam hogi ( Yani usko jannat mai Sharaab e tahoor se Mehroon rakha jayega _,"
*Bukhari -10/30 -Fatahul Baari ,Muslim - AL Ashraba -73-78 ,Musnad Ahmad-2/19*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Phal -*
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"_Jab Kabhi Ye log Un Bahishto mai kisi Phal ki Giza diye jayenge to kahenge ( har baar ) ye to wahi hai Jo humko isse pehle mila tha aur unko ( dono baar ka Phal ) milta julta milega _,"
*(Tarjuma ) Surah Baqrah :25 ,*
⚃➠Aur Kasrat se mewe honge Jo na khatm honge ( Jese Duniya ke mewe fasal tamaam hone se khatm ho jate hai'n ) aur na rok tok hogi ( Jese Duniya mai baag wale uski rok thaam karte hai'n ) ,
*( Tarjuma ) Surah Waqi'a :-32-33,*
⚃➠ Un dono baago mai mewe aur Khajoore aur Anaar honge _,"
⚃➠ Un dono baago mai mewe aur Khajoore aur Anaar honge _,"
* ( Tarjuma ) Surah Ar Rahman : 68 ,*
⚃➠ Aur unke liye Waha'n har qism ke Phal honge ,
*( Tarjuma ) Surah Muhammad :15,*
*( Tarjuma ) Surah Muhammad :15,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ka Angoor_v Khosha,*
⚃➠ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Mere Saamne Jannat pesh ki gayi to mai usse ek Guchchha todne gaya taki tumhe dikhau'n Lekin mere aur uske darmiyan rukawat haa'il kar di gayi ,

__To ek Sahabi ne arz kiya:- Ya Rasulullah ! Aap hume misaal se wazahat kare k ( Jannat ka ) Angoor kitna bada hoga ?
__Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Us Dol se bada hoga Jisko Teri Maa'n ne ( Bakri Vagera ki khaal se ) Kabhi kaat kar taiyaar kiya ho _,"
* Abu Ya'ala ba-Sanad Hasan ( 2/380) Targeeb v Tarheeb ( 4/522) Majmauz Zawa'id (10/414) AL Badro Safrah (1887)*
⚃➠Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu Mulke Shaam mai tashreef farma they to ( Aapke ) Saathiyo ne jannat ka bahami tazkira kiya to Aapne farmaya:- Jannat ke khosho mai se ek khosha yaha'n (mulke Shaam ) se le kar Khayfa ( Madina ke qareeb ek jagah ) ya San'a jitna lamba hai _,"
*Ibne Abid Duniya (46) AL Badro Safrah (1888) Targeeb v Tarheeb (4/522)*
⚃➠Salatul Kusoof ki hadees mai Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu Rivayat karte hai'n k Sahaba Kiraam ne arz kiya:- Ya Rasulullah ! Humne Aapko yaha'n isi jagah per kisi cheez ko uthate hue dekha hai magar fir humne dekha k Aap pichhe ho gaye Hai'n ?
To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya :- Maine Jannat ko dekha hai aur uske ek khoshe ko pakda hai agar mai'n usko tod leta to jab tak Duniya qaa'im rehti tum usse khate rehte ,
*Bukhari Salatul Kusoof -2/540 ,Muslim ( 907)*
*Bukhari Salatul Kusoof -2/540 ,Muslim ( 907)*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Anaar_,*
⚃➠Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannat ke Anaaro mai se ek Anaar ke gird bahut se Hazraat beth kar usse tanawul karenge ,Jab unme se kisi ke Saamne kisi cheez ka zikr chhidega Jiski usko chaahat hogi to WO usko Apne haath mai mojood payega Jaha'n se WO khaa raha hoga _,

* ibne abid Duniya Safatul Jannat -122 ,AL Badro Safrah -1890 Durre Mansoor -6/150*
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Maine jannat mai dekha to uske anaaro se ek Anaar palaan kase hue Ount ki tarah ( mota ) tha ,"
* Ibne Abi Haatim ,Badro Safrah (1891) Durre Mansoor ( 6/150)*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Mewe Qayamat mai Kon Khayenge ?,*
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jo Momin Kisi Momin ko bhook ki haalat mai Khana khilaye Allah Ta'ala usko Qayamat ke din Jannat ke mewo se khilayenge ,
Aur Jo Musalman kisi Musalman ko Pyaas ki haalat mai Paani pilaye Allah Ta'ala usko Raheeq Makhtoom se pilayenge ,
Aur Jo Momin kisi Momin ko jab Uske Paas Kapda nahi tha Kapda pehnayega Allah Ta'ala usko Jannat ka Sabz Libaas pehnayenge _,"
*Tirmizi -2449, Badro Safrah-1896,Musnad Ahmad-3/14,Abu Daowd-1682*
*Tirmizi -2449, Badro Safrah-1896,Musnad Ahmad-3/14,Abu Daowd-1682*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ka Bazaar- Mard v Aurat Ke Husno Jamaal mai izafa_,*
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat mai ek bazaar hoga Jisme Kastoori ke teele honge Har Juma ko Jannati waha'n jayenge aur Shumaal ki hawa chalegi Jo unke Chehro aur malbusaat per padegi to WO log Husno Jamaal mai bad jayenge aur Apne ghar walo ki taraf is haalat mai lotenge k unka Husn v Jamaal bahut badh chuka hoga ,
Unki Biviya'n unse kahengi Qasam Khuda ? Hamare baad Aap Hazraat Husno Jamaal mai Khoob badh gaye ho ,
To WO kahenge aur Tum bhi to Allah ki Qasam ! Hamare baad Husno Jamaal mai badh chuki ho _,"
*Muslim AL Jannat :-2833 ,AL Badro Safrah-2134, Musnad Ahmad-3/284 ,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannati Apni Shakl badal Sakenge*
⚃➠Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"_ Jannat mai ek bazaar hai Jisme koi khareed farokht na hogi balki Mardo aur Aurto'n Ki Shakle hongi , Jab koi Mard kisi Shakl ko pasand karega to WO usme dakhil ho jayega ( aur us Mard Ki wesi hi Shakl ho jayegi ) ,
Aur Wahi'n per Hooren Ki mehfile hongi Jo esi ounchi aur khoobsurat awaaz mai nagma saraa'i karengi k wesi nagma saraa'i makhlooqaat ne na suni hogi ,
⚃➠Wo Kahengi :--( Tarjuma ) Hum hamesha zinda rahengi kabhi fana na hongi , Hum ni'amato mai Palne wali hai'n Kabhi khasta haal na hongi , Hum raazi rehne wali hai'n ( Apne khawindo per kabhi ) naraaz na hongi ,Khush khabri aur Mubarak ho usko Jo hamara khawind hai aur hum uski Biviya'n hai'n ,
*Tirmizi -4/686,696, ibne Abi Sheeba -13/100, AL Badro Safrah -2136 ,Wasful Firdaus - 172*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Bazaar Ka Samaan_,*
⚃➠Abdullah bin Abdul Hakam Reh. Bayan karte hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Abdullah bin Abdul Hakam Reh. Bayan karte hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat mai ek bazaar hai Jisme koi khareed farokht na hogi , Usme Poshaake hongi , Mota Reshsm hoga , Bareek Resham hoga ,Saada Resham hoga, Bichhone honge ,Umda Farsh honge ,Johar honge ,Yaqoot honge ,Latke hue Taaj honge ,
⚃➠ Jannati hazraat unme se Jis cheez ka Dil chahega le lenge , magar fir bhi us bazaar mai kami waqe na hogi ,
⚃➠ Us bazaar mai soorte hongi Jesa k Mardo'n Ki khoobsurat Soorte ho sakti hai'n , Unme se har soorat ke seene per ye likha hoga " Jo Shakhs ye tamanna kare k Uska Husn meri Soorat jesa ho Allah Ta'ala uski Soorat ko mere husn ke mutabiq bana denge , Jo Shakhs Tamanna Karta ho k uske chehre ka husn meri soorat ke mutabiq ho Allah Ta'ala uski Soorat ko mere husn ke mutabiq kar denge ,
⚃➠ Chunache Jo Shakhs tamanna karega uske chehre ka husn us soorat Ki misl ho jaye to Allah Ta'ala usko us Soorat ke mutabiq kar denge ,
. *Wasful Firdaus -177*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Allah Ta'ala Ka Deedaar,*
⚃➠ Hazrat Suheb Roomi Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠ Hazrat Suheb Roomi Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jab Jannati Jannat mai dakhil ho chuke honge to Allah Ta'ala unse irshad farmayenge Koi aur niyamat chahte ho to mai'n tumhe aata karu ?
__To WO Arz karenge Kya Aapne hamare chehre ba-ronak nahi farmaye ? Kya Aapne hume jannat mai dakhil nahi kiya aur ( kya ) dozakh se hume nijaat nahi bakhshi ,
⚃➠Huzoor Aqdas Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n k Fir Allah Ta'ala Parda hatayenge To Jannat walo ko koi esi niyamat nahi di gayi Jo unko Allah Ta'ala ke deedaar se Zyada Mehboob hogi ,
⚃➠Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye aayat tilawat farmayi (Tarjuma ) - WO log jinhone nek amaal kiye unke liye Jannat hai aur usse zaa'id (Allah Ta'ala ki ziyarat ) hai ,
* Muslim -181 , AL Badro Safrah -2204 ,Haadi AL Ravaah -382, Musnad Ahmad- 6/15-16*

⚃➠Allama Qurtubi Farmate hai'n k mazkoora hadees mai Parda hatane ka ma'ani ye hai k unki Aankho ke saamne ke WO hijaab door kar diye jayenge Jo Allah Ta'ala Ki Ziyarat se rukawat ban rahe honge hattaki WO Allah Ta'ala Shanhu ko uske noore azmat v jalaal samet ziyarat kar sakenge , Ye Parda Makhlooq ka apna hoga na k Allah Ta'ala ke saamne hoga _,"
* Tazkiratul Qurtubi - 2/492, Badro Safrah -2204*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannatiyo Ko Allah Ka Salaam,*
⚃➠Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannati Hazraat Apni Apni ni'amato mai maze le rahe honge k achanak un per ek Noor chamkega aur Wo Apna Sar uthayenge to Allah tabarak wa Ta'ala ko dekhenge k usne ouper se un per jhaanka hoga ,Allah Ta'ala farmayenge ," Assalamu Alaikum Ya Ahlal Jannah ," ( Ey Jannat walo Assalamu Alaikum ) ,
⚃➠isi ke mutalliq Allah Ta'ala ka ye irshad hai ,
سَلَامٌ قَوْلًا مِّن رَّبٍّ رَّحِيمٍ
سَلَامٌ قَوْلًا مِّن رَّبٍّ رَّحِيمٍ
( Unko Parwardigaar Meharbaan Ki taraf se Salaam farmaya jayega )
⚃➠Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n k Allah Ta'ala unki taraf dekhenge aur WO Allah Ta'ala Ki taraf dekhenge aur jab tak Allah Ta'ala Ki taraf dekhte rahenge Jannat Ki kisi bhi ni'amat Ki taraf mutavajjah nahi honge hattaki Allah Ta'ala unse Parde mai chale jayenge , Lekin Allah Ta'ala ka Noor aur Barkat ( ka asar ) un per unke mahallaat mai baqi rahega ( aur Allah Subhanahu wa Ta'ala ka zaahir hona aur Jhaank kar dekhna makaan aur hulool se paak hai ),
*Ibne maaja -184, ibne Abid duniya -97 ,AL Badro Safrah-2229 ,Safatul Jannat Abu Naiem -91 ,Tafseer ibne Kaseer -6/570, Majmauz Zawa'id -7/98*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Hazrat Daowd Alaihissalam Ki Khoobsurat Awaaz ,Ziyarate Khudawandi aur Maa'idatul Khuld,*
⚃➠Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmate hai'n ( k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ):-
"__Jab Jannati Jannat sakunat akhtyar kar lenge to unke pass ek fatishta aa kar kahega Allah Ta'ala Aap hazraat ko Hukm de rahe hai'n k tum log uski ziyarat karo , Jab Sab Hazraat ziyarat ke liye Jama ho jayenge to Allah Ta'ala Hazrat Daowd Alaihissalam ko Hukm farmayenge k WO buland awaaz se Tasbeeh v Tehleel ada kare , Fir Maa'idatul Khuld ko bichhaya jayega ,
⚃➠Sahaba Kiraam ne arz kiya - Ya Rasulallah ! Maa'idatul Khuld kya hai ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya - iske Zawiyo'n mai Se Ek Zawiya ( Kinaara ) mashriq v magrib ke darmiyani hisse se bhi Zyada wasi'a hoga Ye Jannati usse khayenge fir piyenge fir libaas pehnenge fir kahenge Ab koi baat baqi nahi Sirf Allah Jal Shanhu ke Rukhe Zeba Ki Ziyarat hi reh gayi hai , Us Waqt Allah Ta'ala unke saamne tajalli farmayenge to Jannati Sajde mai gir padenge , Magar unse Kaha jayega Tum Amal karne Ki jagah nahi rehte ho balki in'aam v ikraam Ki jagah reh rahe ho ( isliye Sajde se Sar utha lo aur Jannat Ki ni'amato mai masroor raho ),
*⚃➠Fayda_* __ Tadbeeh Allah Ta'ala Ki paaki bayan karne ko kehte hai'n, Jabki Tehleel " Laa ilaaha illallaah " kehne ko kehte hai'n ,
*Safatul Jannat Abu Naiem Aabahani -397 ( 3/237) Badro Safrah-2247 , Targeeb v Tarheeb -4/545_546,*

*☞ Rozana Do Dafa Allah Ta'ala Ki Ziyarat _,*
⚃➠Imaam Amsh Reh.farmate hai'n k Jannat mai Sabse A'ala darje per WO log faa'iz honge Jo Allah Ta'ala ko Subeh Shaam dekha karenge _,"
* Bahyqi ,AL Badro Safrah ( 2264)*
*☞ Konsa Musalman Ziyarat se Mehroon hoga ,*
⚃➠Hazrat Yazeed bin Maalik v Mushfi Reh. Farmate hai'n k Koi banda esa nahi Jo Allah Ta'ala per aur qayamat per imaan rakhta ho magar WO qayamat ke din Apni Aankho se Allah Ta'ala Ki Ziyarat karega ,
Waha'n WO Aalim Ziyarat nahi kar sakega Jo zulm ka Hukm karta ho kyunki uske liye halaal nahi hoga k WO Allah Ta'ala Ki Ziyarat kar sake balki WO Andha hoga _,"
⚃➠Allaj Ta'ala ( Surah Kahaf Ki Aakhri Aayat mai ) irshad farmate hai'n-" Jo Shakhs Allah Ta'ala se mulaqaat ( aur Ziyarat ) Ki ummeed rakhta hai , usko chahiye k WO nek Amal kare aur Apne Rab Ki ibaadat mai kisi ko Shareek na kare _,"
"__ Is Aayat ke mutalliq Hazrat Abdullah bin Mubarak Reh. Se sawal kiya gaya to Aapne farmaya k Jo Shakhs Apne khaaliq ke rukhe Anwar Ki Ziyarat karna chahta hai Usko chahiye k WO Nek Amal kare aur iski kisi ko khabar na kare ( Yani Riyakaari na kare )_,"
*Abdullah Bin Mubarak ,AL Badro Safrah ( 2268) Haadi AL Ravaah-414*
*
┅┅━━═۞═━━┅
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Allah Ta'ala Jannatiyo Ko Qur'an Sunayenge_,*
⚃➠Hazrat Abdullah bin Buraida farmate hai'n k ( A'ala daje ke ) Jannati Jannat mai rozana do martaba Allah Jabbaar ke huzoor e Ziyarat karenge aur Allah Ta'ala unke saamne Qur'an e Paak padh kar sunayenge aur Qur'an Sunne Walo mai se har jannati Apni is majlise per Ronake Afroz hoga,

"__ jaha'n Woh betha karta hoga Gohar ,Yaqoot ,Zabar Jad ,Sone aur Zamurd ke mimbaro per Apne Apne A'amaal ke darjaat ke mutabiq bethenge ,
"__ Aur is Qiraat se unki Aankhe thandi hongi aur isse badh kar koi azmat wali aur Haseen cheez nahi sunenge , iske baad Woh Apni Sawariyo per beth kar Apni masroor Aankho ke saath esi hi kal tak ke liye waapas laut kar aaya karenge _,"
*Safatul Jannat Abu Naiem Asbahani (270) Haadi AL Ravaah-328 Hakeem Tirmizi -156*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Allah Ta'ala Ki Raza aur Khushnoodi,*
⚃➠Allah Tabarak Wa Ta'ala irshad farmate hai'n :-
⚃➠Allah Tabarak Wa Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"_ Allah Ta'ala ne Musalman Mardo aur Musalman Aurto'n se ese bagaat ka vaada kiya hai jinke niche nehre chalti hongi , Jinme WO hamesha rahenge aur Nafees makaano ka Jo k un hameshgi ke bagaat mai honge aur Allah Ta'ala Ki Raza mandi sabse badi cheez hai , ye badi kaamyabi hai _,"
*Surah At -Tauba /74*
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai'n k janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__ Allah Ta'ala jannat walo se farmayenge ,Ey Jannat walo ! To WO arz karenge -Labbek wa Sa'adek ( Hum haazir hai'n aur Sa'adat Aap hi Ki taraf se hai ) , Allah Ta'ala puchhenge -Kya Tum Raazi ho gaye ? WO arz karenge - hume kya hai Hum Kis vajah se Raazi na ho'n jabki Aapne hume itna ataa farmaya hai k Apni makhlooq mai se itna kisi ko ataa nahi kiya ?
To (Allah Ta'ala) farmayenge - Kya mai'n Aap hazraat ko isse bhi afzal ni'amat ataa na karu ? WO arz karenge - Ey hamare Rab konsi ni'amat isse Afzal baqi reh gayi hai ? To Allah Ta'ala farmayenge - Maine tumhare liye Raza nichhawar Ki Ab iske baad mai'n kabhi bhi Aap Hazraat per naraaz nahi hounga _,"
*Zuhad ibne Mubarak ( 2/129) Musnad Ahmad ( 3/88) Bukhari ( 11/415 , Fatahul baari ) Muslim Sharif, Tirmizi ,*
*Zuhad ibne Mubarak ( 2/129) Musnad Ahmad ( 3/88) Bukhari ( 11/415 , Fatahul baari ) Muslim Sharif, Tirmizi ,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannatiyo Ki Jannatiyo se Aur Dozakhiyo Ki Dozakhiyo se Mulaqaate_,*
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-( Tarjuma )
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-( Tarjuma )
"_ Fir ( jab Sab log ek jalse mai Jama honge to ) ek doosre Ki taraf mutavajjah ho kar baat cheet karenge ( is baat cheet ke dauraan ) un ( Ahle jannat ) mai se ek kehne wala ( Ahle majlis se ) kahega k ( Duniya mai ) mera ek mulaqaati tha WO ( mujhse bator tajjub ) kaha karta tha k kya tu ( marne ke baad dobara ji uthne ke ) maanne walo mai se hai ? Kya Jab hum mar jayenge aur mitti aur Haddiya ho jayenge to kya hum ( dobara zinda kiye jayenge aur zinda kar ke ) jaza aur saza diye jayenge?
( Yani WO Aakhirat ka munkir tha ,isliye zaroor dozakh mai gaya hoga ,Allah Ta'ala ka ) irshad hoga k - ( Ey Jannat Walo ) Kya tum jhaank kar ( usko )dekhna chahte ho ?( Agar chaho to tumko ijazat hai ) So WO Shakhs ( Jisne qissa bayan kiya tha ) Jhaankega to usko Jahannam ke darmiyan mai ( pada hua ) dekhega ( usko waha dekh kar usse ) kahega k khuda Ki qasam tu to mujh ko tabaah hi karne ko tha ( yani mujhko bhi akhirat ka munkir banane Ki koshish kiya karta tha ) aur agar mere Rab ka ( mujh per ) fazal na hota ( k mujhe usne sahi aqeede per qaa'im rakha ) to mai'n bhi ( Teri tarah ) Azaab mai girafraar logo mai hota,
( Aur uske baad Jannati Ahle majlis se kahega k ) Kya hum bajuz pehli baar mar chukne ke ( k duniya mai mar chuke hai'n ) Ab nahi marenge aur na humko Azaab hoga,
⚃➠( Ye saari baate us Josh v masrrat mai kahi jayegi k Allah Ta'ala ne Sab afaat aur takleefo se bacha liya aur hamesha ke liye be fikr kar diya , Aage Allah Ta'ala ka irshad hai k Jannat Ki jitni jismani aur Roohani ni'amate ouper Ki ayaat mai bayan Ki gayi hai'n) ye beshak badi kaamyabi hai , esi hi Kaamyabi ( haasil karne ) ke liye Amal karne walo ko Amal karna chahiye ( Yani imaan laana aur ita'at karni chahiye )_,"
*Tafseer Bayanul Qur'an - Surah Saaffaat -50 se 61 ,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Ziyarat Ki Sawariya'n ,*
⚃➠Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannati Hazraat Yaqoot Ki tarah Ki khoobsurat Safed Sawaiyo Per beth kar ek doosre Ki Ziyarat ko jayenge , Jabki jannat mai Ount aur Parinde ( ya Ghode ) ke alawa koi jaanwar nahi hoga ,"
* Safatul Jannat ibne Abid duniya- 248, Majmauz Zawa'id -10/412-413, Tabrani -2198 Kanzul Ummaal-39324*
⚃➠Hazrat Buraida Raziyallahu Anhu se rivayat hai k ek Shakhs ne arz kiya - Ya Rasulullah ! Kya jannat mai Ghoda bhi hoga ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya - Agar Allah Ta'ala tumhe jannat mai dakhil farmayenge to jab chahega k Yaqoot Ahmar ke Ghode per sawaar ho aur WO tumhe Jannat mai udaata fire to tu Sawaar ( ho kar Jannat Ki is tarah se sayr kar sakega ) ,
⚃➠Ek aur Sahabi ne arz kiya - Ya Rasulullah ! Kya jannat mai Ount hoga ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne usko wesa jawab na diya jesa k pehle Sahabi ko diya tha balki farmaya agar Aapko Allah Ta'ala jannat mai dakhil farmayenge to Aapke liye jannat mai WO Sab Kuchh hoga Jiska tumhara Dil chahega aur tumhari Aankho ko lazzat milegi _,"
*Zuhad ibne Mubarak-2/177, Ibne Jareer ( tafseer -58/65) Musnad Ahmad-5/352, AL Badro Safrah-2120, Tirmizi -2546*
*Zuhad ibne Mubarak-2/177, Ibne Jareer ( tafseer -58/65) Musnad Ahmad-5/352, AL Badro Safrah-2120, Tirmizi -2546*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannati Hazraate Ulma Kiraam Ke Jannat mai bhi Mohtaaj honge,*
⚃➠Hazrat Jaabir bin Abdullah Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannat Wale Jannat mai bhi Ulma Kiraam ke mohtaaj honge aur WO is tarah se k Jannati har juma Allah Ta'ala Ki Ziyarat se musharraf honge ,Allah Ta'ala unse farmayenge- Tum Jo chaho tamanna karo , Us waqt ye Ulma Kiraam Ki taraf mutavajjah honge aur Puchhenge k hum Apne Rab ke saamne Kis cheez Ki tamanna kare ?
To WO ( Ulma Kiraam ) batayenge k tum is is tarah Ki tamanna karo , Chunache ye Hazraat Jannat mai Ulma Kiraam ke isi tarah se mohtaaj honge jis tarah se ye unke Duniya mai mohtaaj hai'n _,"
*Musnad AL firdaus -880 , Lisaanul mizaan -5/55 , AL Badro Safrah -2190*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannatiyo Ki Zubanan Arbi Hogi*
⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Jannati Hazraat Jannat mai Hazrat Aadam Alaissalam ke Taveel qad ke barabar Allah Jal Shanhu ke haath ke hisaab se Saath haath ke honge , Hazrat Yusuf Alaissalam Ke Husn per honge aur Hazrat Iysaa Alaissalam Ki 33 saal Ki Umar mai honge aur Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Ki Zubaan ( Arbi ) per honge , Na to jism per Baal honge na Daadhi hogi Aankho mai Surma lagaye honge _,"
* Ahmad -5/243 ,Tirmizi -2545, Safatul Jannat ibne Abid Duniya -215 ,Haadi AL Ravaah- 476 ,AL Badro Safrah,*
*⚃➠Faayda_* __ Allah Ta'ala ka haath uski shaan ke aitbaar se hai ,Usko kisi makhsoos haath se tasbeeh nahi di ja sakti , Agar Haath se Allah Ta'ala Ki qudrat muraad li jaye to Kuchh ba'ieed nahi ,( Fir maa'ani ye hoga k Allah Ta'ala Apni qudrat se jitna unka qad munasib samjhenge unko ataa farmayenge ),
⚃➠Imaam Zahri Reh .farmate hai'n k Ahle Jannat Ki zubaan Arbi hogi _,
"__ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se bhi ese hi manqool hai ,
*Safatul Jannat ibne abid duniya ,(213-214)*
*Safatul Jannat ibne abid duniya ,(213-214)*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Aulaade Momin Apne Waliden Ke Saath hogi,*
⚃➠Hazrat Ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Allah Ta'ala Musalman Aadmi Ki Aulaad ka darja buland kar ( ke unko A'ala darje ke jannati Aadmi ke darje tak ) Pahuncha denge Agarche WO Amal mai us Jannati se Kam honge, taki Uski Aankho ko thanda kar de ,
⚃➠Fir Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu ne ye aayat Tilawat farmayi ,(Surah At-tur, Aayat- 21)
*وَالَّذِينَ آمَنُوا وَاتَّبَعَتْهُمْ ذُرِّيَّتُهُم ....*
"__ Yani Jo Log imaan laye aur Unki Aulaad ne bhi imaan mai unka saath diya ( un Aaba'a Momin ke ikraam aur unko khush karne ke liye ) Hum unki Aulaad ko bhi ( Darje mai ) unke saath shamil kar denge aur ( is Shamil karne ke liye ) hum un ( Ahle Jannat ) ke Amal mai se koi cheez kam nahi karenge _,"

⚃➠Yani Ye na karenge k un Jannatiyo ke baaz Amaal le kar unki zurriyat ko de kar dono ko barabar kar denge ,
. *Al Badro Safrah-1714,*
*
┅┅━━═۞═━━┅
*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Aulaade Mushrikeen Ahle Jannat Ki Khaadim hogi*
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maine Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se Mushrikeen Ki ( Nabaalig ) Aulaad ke mutalliq sawal kiya k unke gunaah to nahi honge ( Kyunki WO Nabaalig hone Ki vajah se shariyat ke mukallif nahi hue they ) isliye unko saza to nahi di jayegi k unko dozakh mai dakhil kiya jaye aur unki nekiya'n bhi nahi hongi k unko jannat ka Maalik banaya jaye ( Lihaza WO Kaha jayenge ? ) to Janabe Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya WO Ahle Jannat ke khaadim honge _*
*Tazkiratul Qurtubi -2/516,*
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Maine Apne Rab se Aulaade Mushrikeen ko talab kiya to Allah Ta'ala ne unko mujhe Ahle Jannat ke khidmatgaar bana kar ataa farmaya Kyunki WO Shirk tak nahi pahunche they Jis tarah se unke Waliden Pahunche hai'n ........._( Wallahu A'alam )"
*Kanzul Ummaal -39305 ,39306 ,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Momineen Ki Aulaad Ki Parwarish Kon kar rahe hai'n,*
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Momineen Ki Aulaad Ki jannat mai Hazrat Ibrahim Alaihissalam Kifaalat ( aur Parwarish ) kar rahe hai'n _,"
* Sahih ibne Hibaan ( AL Ahsan /7403) Mustadrak Haakim (2/370) Musnad Ahmad ( 2/326) Majmauz Zawa'id (7/219)_*
*⚃➠Faayda_* _ Hazrat Makhool mursala rivayat karte hai'n k Musalman ke bachche Jannat ke darakht per sabz chidiyo Ki shakl mai hai'n aur unke Abba Hazrat Ibrahim Alaihissalam unki Kifaalat karte hai'n _,"

* Muajjam Sageer Tabrani ( Kanzul ummaal -39308)*
⚃➠Hazrat Suleman Raziyallahu Anhu se moqoof rivayat hai k Momineen ke bachche Jannat ke ek Pahaad mai hai'n Hazrat Ibrahim Alaihissalam aur ( Unki Ahliya ) Hazrat Saarah unki kifaalat karte hai'n _,"
*Kanzul Ummaal ( 39310) Ba hawala Tabrani Sageer ,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Hum Shuru hi se jannat mai Kyu nahi Paida kiye gaye ?_,*
⚃➠Hum shuru hi se jannat mai kyu paida nahi kiye gaye is Sawal ke Hazraate Ulma Kiraam ne Teen Jawab diye hai'n :-
1-- Ni'amat Ki Azmat ko pehchanna zaroori hai, Agar Hum duniya mai Paida na kiye jate to in Ni'amato ki qadr v manzilat se waaqif na hote ,
2-- Taki hum Anjaame Kaar Jannat mai Jaza e A'ala ke haqdaar ban sake aur Zawal se mehfooz ho jaye ,
3-- Taki Ahle Jannat ko izzat ki tijarat haasil ho na k Sawal karne ki zillat ( aur izzat ki tizarat ye hai k hum duniya mai Shari'at ke mutabiq Allah Ta'ala ko Raazi kare aur usse is itteba ke badle mai Aakhirat mai Jannat ko haasil kare )_,"
*Kanzul Madfoon -134*
*Kanzul Madfoon -134*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ki Kheti aur KaashtKaari ,*
⚃➠Allah Ta'ala Ka irshad hai :-- (Surah Az-Zukhruf, Aayat 71)
*ٍ وَفِيهَا مَا تَشْتَهِيهِ الْأَنفُسُ وَتَلَذُّ الْأَعْيُنُ .....*
"__Aur Waha'n (Jannat mai ) Woh cheeze milengi Jinko Dil chahega aur Jinse Aankho ko lazzat hogi ( Lihaza agar koi jannat mai Kaashtkaari ki khwahish Karega to WO bhi is Aayat ki Roshni mai saabit hoti hai )_,"
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ek Din Kuchh bayan farma rahe they us Waqt Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke Pass ek dehaati Shakhs bhi betha tha,
( Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ) Jannatiyo mai se ek Shakhs Apne Parwardigaar Jal Shanhu se kheti karne ke liye darkhwast karega to Allah Ta'ala farmayenge - tumne Jo chaha hai WO tumhe nahi mila ? WO arz karga Kyu nahi lekin mai pasand karta hu k kaaahtkaari karu , to WO kaashtkaari karega aur beej boyega to WO foran hi ug jayega aur barabar ( khada ) ho jayega aur kaat liya jayega Aur uska zakhira pahaado ki tarah dher ki shakl mai nazar aayega ,
__ To Allah Ta'ala farmayenge - Ey insaan ! Yeh le tujhe to koi cheez sayr nahi kar sakti ,
To ( ye sun kar ) dehaati ne arz kiya- Ya Rasulullah ! WO ( Jannat mai kheti ki talab karne wala ) koi Qureshi Ansari hi hoga kyunki yahi hazraat Kaashtkaari karte hai'n Hum log to khetiyo wale hai'n hi nahi ,
To (ye Sun kar) Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam muskura diye _,"
* Bukhari Fil Toheed ( 7519) Baab- 38 , AL Badro Safrah (2140) Haadi AL Ravaah-234, Safatul Jannat Abu Naiem-3/239, Musnad Ahmad-2/511-512,*
* Bukhari Fil Toheed ( 7519) Baab- 38 , AL Badro Safrah (2140) Haadi AL Ravaah-234, Safatul Jannat Abu Naiem-3/239, Musnad Ahmad-2/511-512,*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat mai zarra barabar takleef na hogi,*
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"__ ( Tarjuma ) _ Beshak khuda se darne wale ( Ahle imaan ) baago aur chashmo mai ( behte ) honge inme ( Jannat aur Chashmo mai ) salaamti aur aman ke saath dakhil ho jao ( yani us waqt har makrooh se salaamti hai aur Aa'inda bhi kisi shar ka andesha nahi ) aur ( Duniya mai Tibbi taqaze se ) unke Dilo mai Jo keena tha WO Sab ( unke dilo se jannat mai dakhil hone se pehle hi ) door kar denge k Sab Bhai Bhai ki tarah ( muhabbat se ) rahenge , Takhto per aamne saamne betha karenge waha unko Zara bhi takleef na pahunchegi aur na waha se nikaale jayenge _,"
*Tafseer Bayanul Qur'an ( Surah Hijr : 45 se 48 )*
⚃➠Hazrat Abdul Kareem bin Rasheed Reh. Farmate hai'n k jab Jannati jannat ke darwaze tak pahunchenge to WO ( Aapas ke mukhalifo aur Dushmano ko ) dekhenge Jese aag aag ko dekhti hai Lekin jab WO jannat mai dakhil honge to Allah Ta'ala unke Dilo mai mojood keeno ko khatm kar denge aur WO aapas mai Bhai Bhai ban jayenge _,"
*Zuhad Abdullah bin Ahmad ,AL Badro Safrah (2115)*
*Zuhad Abdullah bin Ahmad ,AL Badro Safrah (2115)*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannatiyo aur Dozakhiyo Ke darmiyan Maut Ko Zibah Kar diya Jayega ,*
⚃➠Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irahad farmaya :-
"__ ( Jannati Jannat mai aur Dozakhi dozakh mai dakhil hone ke baad ) maut ko us Shakl mai laya jayega Goya k WO Neele rang ka Dumba hai , Usko Jannat aur Dozakh ke darmiyan khada kiya jayega ,
Fir pukara jayega - Ey Jannat Walo ! Kya tum isko pehchante ho ? To WO gardan lambi kar ke dekhenge aur kahenge -Haa'n ye maut hai ,
Fir Dozakhiyo ko pukara jayega - Ey Dozakh walo ! Kya tum isko pehchante ho ? To WO bhi gardan lambi kar ke dekhenge aur kahenge - Haa'n ye maut hai,
Fir Uske liye Hukm hoga to usko Zibah kar diya jayega ,Fir Elaan kiya jayega - Ey Jannat walo ! Ab tumko hamesha rehna hai tum per kabhi maut nahi aayegi ,
⚃➠ Iske baad Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ye aayat mubarak Tilawat farmayi :- *(Surah Maryam, Aayat 39)*
*وَأَنذِرْهُمْ يَوْمَ الْحَسْرَةِ إِذْ قُضِيَ الْأَمْرُ وَهُمْ فِي غَفْلَةٍ وَهُمْ لَا يُؤْمِنُونَ*
"__ (Tarjuma )_Aur un insaano ko us hasrat ke Din se daraiye Jab ( hamesha ke liye Jannat ya dozakh mai rehne ka ) faisla kar diya jayega halanki ye log gaflat mai hai'n imaan nahi laate _,"
*Bukhari ( 4730) Muslim (2849) Targeeb v Tarheeb ( 4/562)*
*⚃➠Faayda_,*_ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu ki hadees mai hai k Jab Jannat walo aur Dozakh walo ke saamne maut ko Zibah kar diya jayega to jannat walo ki khushi mai ( intehaai ) izafa ho jayega aur Dozakh walo ka GAM bhi bahut ho jayega _,"
* Bukhari ( 6548) Muslim ( 43)*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Chhodne Ko Dil hi na Chahega_,Sirf Shaheed Duniya mai Waapsi ki Tamanna Karenge*
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
*(Surah Al-Kahf, Aayat 107-108)*
*(Surah Al-Kahf, Aayat 107-108)*
*إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ كَانَتْ لَهُمْ جَنَّاتُ الْفِرْدَوْسِ نُزُلًا.خَالِدِينَ فِيهَا لَا يَبْغُونَ عَنْهَا حِوَلًا*
"__ ( Tarjuma ) __ Beshak Jo Log imaan laye aur unhone Nek Kaam kiye unki mehmani ke liye firdaus ( Yani Jannat ) ke baag honge Jinme WO hamesha rahenge ( na unko koi nikaalega ) aur na WO waha se nahi aur Jaana Pasand karenge _,"
⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irahad farmaya :-
"__ Koi jannati ESA nahi jisko ye baat achchhi lagegi k WO Duniya mai laut jaye aur usko Das Guna Duniya ka Maalik bana diya jaye , magar Shaheed Kyunki ye iski khwahish karenga k ye Duniya mai laut jaye Das martaba Shaheed kiya jaye is vajah se k Jo usne ( Shahadat ke Sawab mai ) Fazl v Martaba paya hoga ,
*Sahih ibne Hibaan ( AL Ahsaan -10/272 ( 7409) Musnad Ahmad ( 3/251, 289)*
*Sahih ibne Hibaan ( AL Ahsaan -10/272 ( 7409) Musnad Ahmad ( 3/251, 289)*
┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Kalma E Shukr Aur iltijaa*
⚃➠ Allah Jall Shanhu Amm nawaluhu Ka be inteha Ahsaan aur Fazal v Karam hai k Us zaate Paak ne *"Jannat Ki Raahai'n ,* aur *Jannat Ke Haseen Manazir ,* Jesi qeemti Urdu v Arabi Kitaabo se Asaan andaaz v Zabaan mai Zakhira Jama Kar ke text msgs mai tarteeb dene ki Tofeeq is nacheez ko ataa farmayi ,
⚃➠Humne bahut koshish ki K tarteeb dene mai Kisi bhi tarah ki koi Galti na hone paye ,lekin Gunahgaar insaan hu'n , isliye Allah Ta'ala ki baargaah mai ye iltijaa hai k nacheez ki is khidmat mai Jo Kuchh bhi lagzishe sarzad hui hai'n unse darguzar farmaye aur hum tamaam musalmano ko in maqbool kitaabo ke har alfaz se Faayda uthane ki tofeek ataa farmaye ,aur Hum Sabhi ko Allah Ta'ala Apne Fazal v Karam se hamare tamaam gunaaho ki magfirat farma kar Jannat ke A'ala se A'ala darjaat mai dakhil farmaye ,

*Aameen Ya Rabbul Aalameen _,*
*✍ Aapka Bhai - Ansar Ahmad Khan ( HaqqKaDaayi)*
*✍ Aapka Bhai - Ansar Ahmad Khan ( HaqqKaDaayi)*
╟❥ *Alhamdulillaah____* •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•
*ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
▏✍ *Haqq Ka Daayi* ▏.
*+91 9829851986*
http://www.haqqkadaayi.com/search/label/Jannat%20Ki%20Raahai%27n?m=0
*Visit for all msgs*
Telegram=https://t.me/haqqKaDaayi ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋

⚵✨⚵
Post a Comment