0

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
      ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Sunnat Ke Bager Tehzeeb*
↬• itteba e Sunnat ke Bager Tehzeeb Ki koi haisiyat ,koi tasavvur nahi , Tehzeeb to Sirf itteba e Sunnat hai ,
★• Lekin is Zamane mai bahut si Sunnate Musalman isliye chhode hue hai'n k is Zamane ke aitbaar se Deen ke khilaf hai ,Halanki itteba e Sunnat hi Asal Tehzeeb thi ,
★ •Yahoodo Nasaara ke Tareeqe musalmano mai itne Aam ho gaye  k unki Sunnato Ki jagah Gairo ke tareeqo ne ke li , Gairo ke Tareeqe musalmano ke darmiyan Tehzeeb ban kar rehne lage , Sunnate Rivaaji tareeqo ke gaalib aa Jane Ki vajah se halki maloom hone lagi ,
★.Bade be aqal hai'n WO log Jo kisi mahol mai is vajah se Sunnat per Amal nahi karte k log Sunnat per hansenge ,
★• Halanki Ahya e Sunnat kehte hi isko hai'n k ESE Mahol mai Sunnat per Amal karna jaha'n Sunnat ka mahol nahi hai ,
"__Sunnat Ke Ahya per  ( zinda karne per ) 100 Shaheedo ka Sawab hai , Agar Koi Sunnat per hansta hai to barae raast Muhammad Sallallahu Alaihivasallam per hansta hai , Allah Ta'ala farmate hai'n k Nabi Ji Aap per hansne walo ke liye hum kaafi hai'n ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ke Akhlaaq-*
↬• Adi ibne Haatim Raziyallahu Anhu jab aaye to door se dekh kar pehchan gaye k Ye Nabi hai'n, Badshah nahi hai'n, k Aurte'n aur Bachche Aapke qareeb bethe they, Foran samajh kiya k Nabuwat hai Badshahat nahi hai ,
"_Badshaho  mai to mizaji takabbur hota hai WO Apne mutalliqeen ko bhi Apne paas bethana gawara nahi karte ,
★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam imtiyazi shaan se bachte they ,Aap Apna tarruf khud karate they , Aapse arz kiya gaya k aane wale Aapko pehchante nahi hai'n lihaza Koi esi jagah bana de jaha'n Aap betha kare k aane wale Aapko pehchan le ,
★ •Aapne Farmaya ,Mai'n to chahta hu'n k Mai'n Sahaba Ke darmiyan is tarah rahu k tum meri gardan ko kuchal kar chalo ,
★. Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke A'ala Akhlaaq ka taqaza tha k agar Sahaba Aapse Duniya ki baate karte to Aap Duniya ki baate karte , Sahaba Khane ki baate karte to Aap Khane ki baat karte ,
★• Isse aane wala qareeb ho jata tha isliye k Jo Tarbiyat qurbat se ho sakti hai WO Doori se nahi ho sakti ,
"__Sahaba Khud farmate hai'n k Hum Aapse Duniya ka zikr karte to Aap Duniya ka zikr farmate ,Khane ki baat karte to Aap Khane ki baat farmate ,Jab Aapse Akhirat ki Baate karte to To Aap Akhirat ki Baate farmate ,
↬• Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam logo mai Sabse zyada naram tabiyat they,
★•  Farmate hai'n khuda ki qasam agar koi shakhs ya koi Baandi ya koi Bachcha Sardi mai Thanda paani bhi le kar aata k Aap usko istemal kar ke ( Wazu kar ke ) waapas kar de ( Barkat ke tor per ) to Aap Mana nahi farmate they ,
★ • Aur Jo koi Aapse koi Sawal karta to Aap us Waqt tak apna kaan nahi hata te jab tak koi Apni Baat keh kar chala na jawe  ,
★. Aur Jo bhi Aapka haath pakadta ( musafa karte Waqt ) Aap usse Apna haath nahi chhudate they Jab tak k WO khud hi Aapka haath na chhod de ,
★• Aur Kabhi Kisi ki taraf mutavajjah hote to Aap apna chehra nahi ferte yaha'n tak k WO Apna chehra fer kar chala jata ,Aur kabhi majlis mai bethne mai Aap ghutne tekne walo se aage nahi badte they , Aap Sabse aage nahi beth te they balki Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke saath beth te they ,
*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Bivi Bachcho Se Muhabbat Ka Fitri Taqaza*
↬• Maashre ke adaab itteba e Sunnat se milenge ,Varna is Zamane mai esi Haiwani zindgi hai ,Jis Aulaad Bivi Bachcho ke liye Maal kamate hai'n, Unke saath maal kamane ki dhun mai Khelne bethne ka bhi moqa nahi milta,
★•  Hazrat farmate they- pehle to ye Apne Deen ko qurban karta hai Khwahish ke liye fir khwahishaat mai itna aage bad jata hai k khwahish ko qurban karta hai doosri khwahish ke liye , Khwahish Daayi Bivi Bachcho se Milne ki Usse badi Khwahish aa gayi maal kamane ki to Bivi se Milne ki Khwahish ko qurban kar dega maal kamane ke liye ,
★ • Subeh Jaldi nikal jate hai'n Shaam ko aate hai'n ,Subeh Bachche soye hote hai'n, Shaam ko sote milte hai'n ,inhe Bachcho ke saath milna naseeb nahi hota ,
★.Kyunki Jab Aadmi ki fitrat bigad jati hai to Fitri taqaze bhi badal jate hai'n  , Fitri Taqazo mai Allah Rabbul izzat ne Sabse aham cheez ibaadat rakhi hai , Jo Log ibaadat per nahi aayenge WO Apni Aulaad aur mutallikeen se Fitri muhabbat nahi karenge ,
★•Chunki Allah Rabbul izzat ne Muhabbat ka Jo Vaada farmaya hai WO Imaan A'amaale Saleha per farmaya hai ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Maa'n Ki God Pehli Tarbiyat Gaah hai*
↬• Log Apne Ahal se Fitri muhabbat nahi rakhte ( Imaan aur Amaale Saleha na hone ki vajah se ) ,unhe ek Zaroori cheez samajhte hai'n, Unko zarurat per istemal karte hai'n,
★• Halanki jitni bhi insaan ki Tabiyat ki ,Farhat ki cheeze hai'n un Sab mai Sabse zyada Dilo ko sukoon pahunchane wali cheez WO Aulaad hai  , Jaanwar bhi Apni Aulaad se muhabbat karte hai'n,
★ • is Zamane ka dastoor ye ho gaya hai k Aulaad ko to Naukar paalte hai'n aur Miya Bivi ye kamane mai aapas mai ek doosre se juda rehte hai'n ,isko is Zamane mai taraqqi kaha jata hai , Sara Urop ka nizaam yahi hai Jo badi tezi se Musalmano mai bhi aa raha hai,
★.  Isliye Apne Bado ki WO Adaat Aulaad mai muntakil nahi hoti Jo unki naslo se chali aa rahi hoti hai ,Saari khandaani Sharafate isliye khatm ho gayi k is Zamane mai Aulaad ko Naukar paalte hai'n ,
★• Halanki Maa'n ki god WO Sabse pehli aham Tarbiyat gaah hai , Lekin is Zamane mai Aulaad ko Waliden ki god nahi milti ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*HuZoor Sallallahu Alaihivasallam Ki Hasnain Raziyallahu Anhum se Muhabbat*
↬• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam bavjood tamaam mashagil ke aur Bavjood musalsal Aap gamgeen rehte they, iske Bavjood Aap Bachcho ke saath is tarah khelte they k Shayad is tarah khelna is Zamane mai logo ko ayb maloom ho , K Koi dekhega to kya kahega ?
★• Aap Sallallahu Alaihivasallam Oount ban jate Hasnain Raziyallahu Anhum ke liye aur Aapke Baalo ki lato ki lagaam bana lete aur Aap Oount ki awaaz nikaalte aur Ye Dono Aapki Peeth per Sawaar rehte  ,Charo Haatho Payro se Aap chalte Oount ban kar ,Dekhne wale kehte Kesi Achchhi sawaari hai , to Aap farmate Sawaar bhi to Kitne achchhe hai'n ,
★ • Apne modho per Bachcho ko bitha kar Sahaba Ke darmiyan Aap nikal aate they  ,
★.  Hasnain mai se koi ek Chaadar mai ulajh kar gira ,Aap khutba dete hue Mimbar se bhaage unhe uthaane ke liye ,
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

❈…… .. _*Saare islaam aur Deen Ka Khulasa itteba e Sunnat hai*
↬• Jab Deen nahi rahega to Fitri Taqaze khatm ho jayenge ,
★•( Is Zamane mai ) itni Duniya matloob hai k Waliden ko Aulaad ki aur Aulaad ko Waliden ki Koi parwaah nahi hai ,
★ • Jis Tarah Jaanwar Apni aulaado ko bhool jate hai'n bade hone ke baad , Aulaade ( is Zamane mai ) Waliden ko bhool jati hai bade hone ke baad , Jaanwaro ki Sifte insaano mai aa rahi hai ,
★.isliye Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka maashra aur Aapki Sunnate har line ki WO fitrat ko baqi rakhne ke liye hai, Varna Saare islam aur Deen ka khulasa itteba e Sunnat hai ,
★• itteba e Sunnat ke Bager Deen mukammal nahi ho sakta ,
*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
…… .. _*Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka Mamool Apni Aulaad Ke Saath*
↬• Apne Bachcho ke saath na khelna ye Takabbur ki alaamat hai , Aadmi mai Jab badaai aa jati hai to WO Apno ke saath be-takallufi ko Apni haisiyat se niche samajhta hai ,
★•  Farmate hai'n Anas Raziyallahu Anhu k Maine nahi dekha k Aap Sallallahu Alaihivasallam se zyada koi Apni Aulaad aur Apne mutalliqeen per Aapse zyada koi Raham karne wala ho,
★ •  Ibrahim Raziyallahu Anhu Aapke bete , WO madina ki Aabaadi mohalle se doodh pine ke liye bheje gaye they, Aap Sallallahu Alaihivasallam waha tashreef le jate ,
★. Sahaba farmate hai'n k hum Aapke Saath jate , Aap Sallallahu Alaihivasallam ghar mai dakhil hote  ,Halanki poora ghar Dhue'n se bhara hota tha Kyunki Jo Ibrahim Raziyallahu Anhu ko doodh pilati thi unke Shohar lohaar they,
★• Lekin Aap Dhue'n ki koi parwaah nahi karte ,Aap tashreef le jate , Aap Bachche ko uthaate ,Pyaar karte aur Waapas aa jate ,
★. Sahaba Raziyallahu Anhum farmate hai'n k Jab Ibrahim Raziyallahu Anhu ki wafaat ho gayi to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya ,Ibrahim mera beta hai aur ye doodh pine ki muddat mai wafaat payi hai , Allah ne jannat mai iske Doodh pine ki muddat ko poora karne ke liye Do Aurto'n ko mutayyan kar diya hai ,
*
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
…… .. _*Aap Sallallahu Alaihivasallam ka Sahaba Raziyallahu Anhum ki Aulaad ke Saath Muhabbat*
↬• Abdullah ibne Haaris Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam Abdullah ,Obedullah  aur Kaseer ( Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ke Dono bete) ,inko teeno ko ek saff mai khada karte fir farmate k tumme se Jo daud kar meri taraf aawe Jo aage badega ,meri taraf pehle pahunchega usko ye ina'am dunga ,is tarah Aap Bachcho ki daud lagwate,
★•  Chunahe ye teeno daud kar Aapki Peeth per Chad jate Aapke seene per ,Aap unko Pyaar karte ,Unko seene se lagate ,
★ •Abdullah ibne Jaafar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam jab Kisi safar se waapas hote to Aapke Khandaan ke Bachche Aapko milte , Aap ek safar se waapas aaye to mujhe bhi aapki taraf badhaya gaya , Aapne mujhe sawaari per Apne saamne bitha liya ,Hazrat Hasan aur Husain Raziyallahu Anhum mai se koi ek aur aaya to Aapne unko Apne pichhe bitha liya ,Farmate hai'n k ek sawaari per teen Madina mai dakhil hue ,
★. Ek Rivayat mai farmate hai'n Abdullah ibne jaafar Raziyallahu Anhu k Aap Sallallahu Alaihivasallam mere paas se guzre  ,mai'n Bachcho ke Saath khel raha tha ,Aapne mujhe Apne saath Sawaar kar liya aur Banu Abbaas ke ek ko Sawaar kar liya ,
★•Aap Sallallahu Alaihivasallam mere Sar per haath ferte they, Jab bhi Aap haath ferte they Aap Dua dete they , Ey Allah Jaafar ki Aulaad mai inke liye behtar khalifa ban ja ,( chunki Jaafar Raziyallahu Anhu Shaheed ho gaye they ),
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
 *- Hazrat Maulana Sa'ad Sahab DB.( Taleem Hayatus Sahaba RA. Markaz Nizamuddin )*
* Admin Ki Diary_,*
☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*,
                         
              ⚀ *Talib e Dua*,
             ⊙ *Haqq Ka Daayi*,
*
━═─────────────────═━

Post a Comment

 
Top