0

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     *вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          
    *TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
                    
      ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
❈…… .. _*Majmua Ko Bikherne Ki Shaitaan Ki Koshish*
↬• Jab Deen Ke Kaam Karne Walo ka ek Majmua Taiyaar ho jata hai to islam Ki quwwat ka zariya Banta hai,
★• To is Majmua ko bikherne ke liye Shaitaan infiradi ibadaat mai khalal paida karne aur inko infiradi A'amaal se rokne se bilkul gaafil ho jata hai aur Ye sochta hai agar kisi Fard ko Maine Amal se rok diya to ye ek fard ka nuqsaan hai , isme itna nafa nahi Jitna nafa usme hai k Jo Majmua Taiyaar hua hai Deen Ki Hifazat ke liye ,Deen Ki isha'at ke liye , is Majmua ko kisi tarah bikhera jaye , is per Shaitaan Ki quwwat lagi hai ,
★• Majmua ko bikherne ke liye iske chand Buniyadi kaam  hote Hai'n , inme sabse buniyadi kaam ye hai k inke Dilo mai ek doosre ke liye wasawis ke zariye Badgumaani paida karo , Taki ye Apni asal se apni asya se ,Apne Markaz se aur Deen Ki ijtimiyat ke moqe se bikhar jaye ,aur Bikhar kar inki Salahiyate aur inki quwwate mujtama na rahe ,
★ •Shaitaan Badgumaani paida karta hai ye uska sabse bada harba hai  ,k Agar Dawat ke zariye Ummat mai Deen Ka istaqbaal paida ho to Kaam karne wale Majmua ko bikherne ke liye inko inke Bado se Badzan kiya jaye ,
★. Ye Shaitaan ka Buniyadi kaam hai aur Ye mashwara ye dega k hum to iske zariye Kaam chahte Hai'n  ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Shaitaan Ka Kaam :-Badgumaani aur Deen ko Chaah Ko Nafrat mai Tabdeel Karna*
↬• Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Waleed ibne Uqba Raziyallahu Anhu ko bheja k Jao tum Banu Mustalik se zakaat wasool kar lao , Ye Amaanat daari ka zamana tha ,Poore qabile se zakaat wasoolne ke liye Sirf ek Aadmi ko bheja ,
★• Qabile ko pata chala k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ka Qaasid zakaat Ki wasooli ke liye aa raha hai to poora Qabila iske istaqbaal ke liye Bahar nikal aaya Kyunki WO hamari ek ibaadat ( Zakaat Farz ibaadat hai ) ko karwane ke liye aa raha hai  ,
★ • Jab  ye dekha k Deen ka istaqbaal bad raha hai ,poora Qabila khushi se zakaat dene ke liye Taiyaar hai aur ek Aadmi zakaat ki wasooli ke liye ja raha hai to Ek munafik  ne  usse ye kaha k Jiski tum zakaat ki wasooli ke liye ja rahe ho WO poora Qabila Basti se Bahar nikal aaya hai tumhe qatl karne ke liye ,
★. Ye Ek Dohri chaal hoti hai ,ek to is galatfahmi ko paida kiya k WO zakaat ke munkir Hai'n ,Zakaat ka inkaar Farize ka inkaar hai , Ek munafik ne istaqbaal ko inkaar mai tabdeel kar diya ,
★•Shaitaan Jinke Dilo mai Deen ka istaqbaal hai unko , Awaam ko badzan karega Deendaaro ki taraf se aur Jo inko badzan karega Awaam ki taraf se ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Tehqeeq Kiye Bager Koi qadam na Uthaao*
↬• Akele Sahabi ghabra gaye ,Ye wahi se waapas ho gaye ,aakar arz kiya k Raaste mai ye khabar mili hai k Poora Qabila mere qatl ke liye Bahar nikal aaya hai , Bada Gunaah hua k Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Qaasid ke qatl ka iraada aur Zakaat ka inkaar ,
★•  Mai'n Ye baat kar raha hu'n Khairul Quroon ki Jisme Farize ka ada na karna Kufr samjha jata tha ,Fara'iz ki adaaygi islam ki Shara'it mai se hai ,Aur Dil bilkul saaf they ( Sahaba Ke ) Usme ek munafik ki ek ( Jhooti ) khabar per Sahaba Kiraam ne ye mashwara kar liya k Hume un per hamla karna hai aur qatl karna hai Banu Mustalik ko ,
★ •To Wahi aa gayi :--- Ey imaan walo! Agar Tumhare paas koi faasik koi khabar le kar aaye to tum iski tehqeeq kar Lena , Tehqeeq isliye taki Faasik ka Fisk khul jaye ,Jaldi na karna balki Tehqeeq karna k baat sahi hai ya galat hai , Esa na ho k tum Tehqeeq kiye bager koi qadam uthaa lo aur esa qadam uthaa lo k is aqdaam ki koi talaafi na ho ,
"__Nadamat Aadmi ko tab karni padti hai jab Kisi cheez ki talaafi na ho ,
★. Jitna koi iraada kiya ja raha hai mahaj jhooti khabro aur mahaj Badgumaani per kiya ja raha hai ,Saara qila isi per tameer hai ,iska haqeeqat se door ka bhi koi waasta nahi ,Kyunki is kaam mai ikhtilaaf ki koi cheez nahi hai, sirf Badgumaaniya hai'n Jo paida ki ja rahi hai'n ,
★•Shaitaan ka ye kaam hai k inke darmiyan foot daalo Badgumaani se  ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*ita'at Ka imtihaan Hoga*
↬• Allah Ta'ala Kaam karne walo ka imtihaan lete hai'n k is Darje per pahunch ne ke baad inhe Apne  kaam per Apni baat per yaqeen kitna hai ,k ye kisi Khabar se mutassir to nahi hote ,esi khabre bahut Hai'n seerat mai ESE imtihaan bahut hai'n ,
★•  Imtihaan bahut sakht honge k Apni zaat ka aitmaad aur Apni raay aur Apni chaah ko  Nabi ke Hukm per ESE qurban karna padega k uska koi Shubha aur iraada baqi na rahe ,aur Sakht imtihaan unka hota hai Jo kisi darje mai aage bad jate Hai'n ,Unka imtihaan us darje ke aitbaar se hoga,
★ •  Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke ek Kaatibul wahi they, Jab Aap per koi wahi aati thi to inko bulaya jata tha likhne ke liye ,WO Aapki wahi ki kaifiyat dekhte they, Aapka paseene ko Aapki thartharahat ko Gungunahat ko dekhte aur intezar karte k Aayat likhwaye ,
★. Aaj itne arse ke baad ek musalman Qur'an ke ek harf ko bhi yaqeen karta hai k ye Allah ki kitaab hai ,to un Sahabi ke yaqeen ki kya kaifiyat hogi Jo Aapne saath Aapke Saamne beth kar wahi ki kaifiyat ko dekhe ,
★• Aap Sallallahu Alaihivasallam per wahi naazil hui , Allah ne insaan ki takhleeq ke marahil naazil kiye k humne insaan ko kese paida kiya , Allah ne in Sahabi ka imtihaan lene ke liye inki zubaan per ye alfaaz jaari kar diye  Ba barkat hai WO zaat Jo sabse achchha paida karne wali hai ,
"__Aur udhar ye Aayat Aap per wahi kar di ,inki zubaan per alfaaz they aur Aapki Zubaan per wahi  Kalmaat ek ,Aapne farmaya ye bhi likho , Kehne lage nahi mai ye nahi likhunga ( ye to mere kalmaat hai ) WO kehne lage ( nauzubillaah ) Asmaan se koi wahi nahi aati Jiski baat achchhi lagti hai likhwa dete hai'n , Rivayat mai hai islam se murtad ho gaye aur Nabuwat ka daava kar diya k mai'n Nabi hu'n mere ouper bhi wahi aati hai,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*ita'at Ka maiyaar bahut Ouncha hai*
↬• Hukm aayega Tabiyat ke Khilaf ,Hukm aayega mamool ke Khilaf, Hukm aayega Haisiyat ke Khilaf ,Jazbe ke Khilaf, K hum dekhna chahte Hai'n k Allah aur Allah ke Rasool ki ita'at Kis darje tak pahunchi hai,
★•  Ye imtihaan hoga , is imtihaan mai Jo Kamyaab hoga WO to baqi rahega, aur Jo fail ho gaya WO ijtimaiyat ki saff se nikal jayega ,aur Jo ijtimaiyat ki saff se niklega to iski khusoosiyat ye hai ,dastoor ye hai k ijtimaiyat ki saff se nikalne wala doosro ki khair mai rukawat banega ,
★ • Shaitaan ne Aadam Alaihissalam ko Sajde se inkaar kiya  ,Hukm se inkaar Ki vajah khud inkaar hai ,Nafarmani ke liye itna kaafi hai k Allah ke kisi Hukm ki illat per  gor kare k ye Hukm kyu diya gaya ....mai'n isse behtar hu'n ,Ye mere saath zyadti hai k mai'n isko Sajda karu ,,,
★.  To WO is Saff ( Farishto ki saff ) se nikal gaya ,Jab isse nikal gaya to fir iska kaam sirf ye hai k Wo khair mai Rukawat bane ....teri izzat ki qasam mai Sabko gumraah kar dunga , to Allah ne bhi chhoot de di k Jaa Jo tujhse ho sake kar le lekin ye baat yaad rakh ,imaan walo per tera bas nahi chalega ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Mamool Ke Khilaf Hukm*
↬• ita'at Ka imtihaan hoga , Hukm laya jayega mamool ke Khilaf,
★• Mamool ke Khilaf Hukm laye hai'n Tahwile Qibla ,Namaz mai Qibla yu'n tha  to yu'n kar diya gaya aur ye Hukm bhi Namaz ke dauraan laye ,
★ • Kyunki Hum ita'at ki ujlat dekhna chahte hai'n k ita'at mai kitni jaldi karte hai'n ,
★. Halanki Namaz ke sare Amaal musalsal hai'n ,Koi mauqa Namaz ka zikr se khaali nahi ,
★•K Hum dekhna chahte hai'n k Kon inke saath firta hai kaabe  ki taraf aur Kon baqi rehta hai qibla Avval ki taraf ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Ijtimaiyat Ke Liye Ek Doosre Ka Ta'wun Kare*
↬• ijtimaiyat ki Asal Buniyad hai WO ita'at hai ,agar ita'at per hai'n to mujtama rahenge ,
★• Ijtimaiyat ke liye sabse Buniyadi cheez ek doosre ka Ta'wun hai , Ek Doosre ka Ta'wun karo Deen ke kaamo mai ,isliye Deen Ke jitne bhi Shobe hai'n ,Makatib hai ,Madaris hai ,Deeni tehreeqe hai'n in sabka bahami Ta'wun ho,
★ • Agar Bahami Ta'wun nahi hoga to Deen chahne walo ke is tarah Firke banenge Jis tarah Duniya walo ke Firke bante hai'n , Aur Ahle Duniya ke Firko se WO Deen ka nuqsaan ,WO fasaad nahi hoga Jo Ahle Haq ke firko se hoga,
★. Duniya Tabqaat mai bat jawe aur ek doosre ko khaa jawe to WO fassad nahi hoga Jo Ahle Haq ki tafreeq se hoga ,Tafreeq ka Buniyadi sabab ek doosre ka Ta'wun na karna hoga ,isliye ye Hukm farmaya k Deen ke kaamo mai ek doosre ka Ta'wun karo ,
★• Ta'wun ka kya matlab hai ?Ta'wun ka to Sirf zahan mai ye matlab hai k Maali Ta'wun kar do ,Maulana Sahab farmate they k maali Ta'wun se WO Fitne aayenge Jo fitne sadiyo mai nahi aayenge ,
"__Maali Ta'wun Deen mai Ta'wun ki sabse adna Shakl hai  , Maali Ta'wun to Deen mai Gair Muslim bhi kar dega ,Ta'wun ka matlab ye hai k Deen ke Tamaam Shobe ek doosre ka difa kare ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Ek Doosre Ka Difa kare*
↬• Deen Ke tamaam Shobe ek doosre ka difa kare ,
★• Agar Difa nahi karenge to Baatil ko inke darmiyan dakhil ho jayega ,Kyunki ek doosre ka Difa na karne ki vajah se Baatil ko inke darmiyan ghusne ka Raasta mileg , Usko fatan Nazar aayegi ,
★ • Hazrat Farmate they k Khuda ki qasam musalmano ki jama'ate us waqt tak mujtama nahi reh sakti Jab tak ek doosre ke fayl ( kaam ) ki taveel na kare , Aur Har Jama'at apne kaam ko Apna nahi balki doosre ( Deen ) ke kaam ko bhi Apna kaam samjhe  ,
★•Aadmi Apne ghar ke fard ka Difa karta hai chahe kitni hi badi galti kyu na ho ,ye Koshish k galti saabit na ho ,Ye maamla Ab musalmano ki do Jama'ato mai nahi hai. ,Jo ek aam musalman ke darmiyan hua karta tha ,
"___Musalmano ke gunaah ko saabit karne ka to Sahaba Kiraam ke Zamane mai koi tasavvur hi nahi tha ,
★•Khud farma rahe k Maine zina kiya ,..Nahi tune Haath lagaya hoga ,..nahi nahi maine zina kiya hai ...Nahi tune Chhua hoga ,..Bosa liya hoga ,
★•Ese Do firke Jo jahannam mai jayenge bajaye ek Doosre ke Difa ke ek doosre ki kamzori batane mai lage  ,WO kahe ye is cheez per Nahi , Ye kahe WO is cheez per nahi hai ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Ek Doosre ke liye Rahmat Bano*
↬• WO lekin Rahmat kese ban sakte hai'n Jo ek doosre ki ni'amat ko Khatm karne ki Koshish mai ho ,
★•  Kisi ki ni'amat ko zaa'il karne ki fikr Hasad Paida karta hai to WO usse ni'amat ko chheene ki Koshish karte hai'n agar Chheenne se nahi milti to usko zaa'il karne aur Raasta dekhte hai'n ,
★ • ( Mushrikeen e Makka ) Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se Nabuwat ko nahi chheen  sakte they to kehne lage Likh kar de do k Aapke baad Hume Zimmedar banaya jaye ,Khilafat ,Siyasat Hume mile to hum Aap per imaan le aayenge ,
★. Mushrikeen Aapki Kitaab per bhi Hasad karte they K Qur'an Aap per kyu naazil hua , Hasad ne unko islam ki khair se Mehroon rakha ,Waqa'i ye Haqeeqat hai Hasad Aadmi ko tanha kar deta hai ,
★• Hasad Mehroomi ka sabab kyu hai ? ye sawal hai ,Kyunki Hasad karne wala Allah Ki takseem Se ikhtilaaf karta hai ,Allah ne isliye farmaya Qur'an mai k ye takseem hamari hai ,tum kaun ho hamari takseem mai dakhal karne wale ,
"__Hasad Nekiyo'n ko ESE khaa jati hai Jese aag lakdi ko khaa jati hai , isliye Ta'wun mai Hasad pehli rukawat hai ,Jiske Dil mai Hasad hoga khair ke kaam mai Ta'wun nahi karega ,Jo nekiya'n kamaai thi WO bhi gayi aur Majeed kamane ka moqa bhi nikal gaya , Khair ke kaam mai Ta'wun se Allah nawaazte hai'n ,aage badate hai'n isliye farmaya Nabi Ji Aap inke liye Rahmat hai'n ,
**
↬• Rahmat ye hai k Aap Naram ho kar ( Dawat mai ) chale ,
★• Haq mai to nagawariya'n aur Kadwahat hai , Jo Haq per jamega Usse Log naraaz honge , Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne khilafat dene se pehle hi farma diya tha k Umar ye baat yaad rakho k tumse Sab khush nahi honge ,
★ • wo Konsa zamana tha  ,Khairul quroon ka zamana ,aur kon hai'n Umar ,Farmaya k mere baad koi Nabi hota to Umar hote , Unse ye farmaya ,Tumhe Jo kaam karna hai WO kaam ESA hai k tumse Sab log khush nahi honge ,
★. Hazrat Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k mai'n riyaya ke bare mai itna Naram ho jata tha k makkhan se zyada naram aur Fir Allah ka Dar paida ho to fir mai'n patthar se zyada Sakht ho jata tha , Allah ke Deen ke bare mai Umar sabse Sakht ,
★•Narmi ka matlab ye hai k Tum Apne Haq mai Naram ho jao aur Deen ke Haq mai Sakht ,isme ( Deen mai ) agar Narmi Akhtyar karoge to tum per dugna ( Double ) azaab hoga  , Ek Azaab ita'at ke na hone ka aur ek Azaab hoga Tumhare muta'a hone ka ,Matlab ye hai k tum per Zimmedari hai ,Apne Amal ka gunaah alag aur Tumhare pichhe chalne walo ka hisaab bhi tumse hoga ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Na-Haq Mutalba*
↬• Apne mutalbaat ko poora karwane ke liye kisi ko sahi kaam se roka jata hai ,Ye baat daure Risalat se chal rahi hai k Nek kaam se roko ,
★• Jab Nek kaam se nahi rukenge to ye kahenge Achchha tum esa karna chahte ho to hamara ye kaam kar do hum Tumhare kaam ki ijazat de denge  ,
★ •  Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ko Hajre Aswad ka Bosa bahut margoob tha ,Aap har chakkar mai Bosa lete they ,  Mushrikeen ne ye dekha k Aapko Hajre Aswad ka Bosa bahut Mehboob hai ,mushrikeen ne ye kaha k Hum Aapko Bosa nahi lene denge ,
"__Agar Aap Lena chahte hai'n to hamari Shart poori kariye ,Aap Jab Tawaaf kare to hamare Buto ke saamne se jhuk kar jaye , Ye mutalba kiya ,
★. Aap Sallallahu Alaihivasallam ko halka SA khayal aa kar guzar gaya , Aapne khayal ko pakaya nahi, Kyunki Nabi masoom hai'n , WO to Toheed ke liye aaye hai'n , Buto ko todne ke liye aaye hai'n ,
★• Allah ne farmaya k Nabi Ji agar hum Aapko apni qudrat se saabit qadam na rakhte to qareeb tha k Aap halke se unke mutalbe ki taraf jhuk jate  , Agar Aap ESA kar lete to hum Aapko dugna Azaab Duniya mai dete ,dugna Azaab Akhirat mai dete ,
★• Ye Allah ka bada fazal hai k Allah Ta'ala kaam karne walo ko Haq per jamaye rakhe ,Varna insaan kuchh nahi kar sakta ,hum kya kar sakte hai'n agar Allah madad na kare ,
*,
❈…… .. _*Zimmedari Ka Bojh uthaao*
↬• Aap Sallallahu Alaihivasallam Ke saath Jo zyadtiya'n hui hai'n usme Aap Jo Aapne Ahsanaat kiye hai'n, ye Rahmat hai ,
★•  Ye nahi k Aap Deen ke bare mai Naram pad jawe ,Farmaya mai'n Haq ke bare mai kabhi naram nahi padunga ,agarche k Chabane wale ke daant mai Patthar Naram pad jawe , Agar Mujhse Na-haq mutalba karwaya gaya to mai is bare mai gargiz Naram nahi padunga ,
★ • Hazrat Farmate they Na-Haq Deen ke Khilaf mutalbe ko poora karna fitno ko khatm nahi karega ,Fitno ko Janm dega ,Deen Ke bare mai mudahnat Deen se Mehroomi ka sabab hai ,
★. Ye Zimmedari hai  , Zimmedari ka bojh uthaao ,Aadmi Apne Zaati Talluqaat ki vajah se Zimmedariyo se Haath utha leta hai k Ye meri Qaum hai ,Mere Log hai'n, Mere Dost hai'n ,
"__ is Soch se bade bade Badshah WO islam ko Deen ko aur Aapki Nabuwat ko yaqeen karne ke baad bhi islam nahi la sake ,k Hum qaum ko kya jawab denge , hum maante hai'n baat So fisadi theek hai lekin hamari qaum nahi maan rahi ,
★• Ye hai Qaumiyat ka Deen , Hadees mai aata hai Jo Shakhs makhlooq ko raazi kar ke Allah ko naraaz karega ,Allah bhi naraaz ho jayenge aur Makhlooq ko bhi naraaz kar dega , Quloob Allah ke Haath mai hai'n tum kuchh nahi kar sakte aur Jo Allah ko raazi kar ke saari makhlooq ko naraaz kar le k Allah Raazi hai bas to Allah Ta'ala khud to raazi ho jate hai'n makhlooq ko bhi raazi kar dete hai'n,*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Apne Haq mai Darguzar aur Allah se Maafi*
↬• Rahmat bane ,Agar Aap sakht Dil ho gaye to ye Aapko chhod kar bhaag jayenge ,
★• Lihaza Pehla kaam  ye hai k Apne Haq mai to Aap Darguzar kare , Jo Allah se maafi ka talabgaar na ho WO har khair se mehroom ho gaya , Shaitaan ki Shaitaniyat kya hai ? K WO maafi ka talabgaar nahi hai ,
★ • Doosri baat ye hai k Jo Allah se maafi nahi chahega WO Makhlooq ko maaf nahi karega ,K inko maaf kar do ,Agar Tum inko maaf kar rahe ho to iska matlab ye hai k tum Allah se magfirat chahte ho , Tum inhe maaf kar do Allah Tumhe maaf kar denge ,
★. Isliye Apne Sathiyo'n ke liye Tanhaiyo'n mai istigfaar kiya kare Hum Sab , Hamari Tanhaaiyo mai ab to geebate hai'n istigfaar nahi hai ,Shikayate hai'n, in Saare fasaad ki fursat isliye mil rahi hai infiradi Dawat na hone ki vajah se ,
★• Allah maaf kare Purano ki satah infiradi Dawat se ouper chali gayi hai , Infiraadi Dawat to bade bade Fitno ko ROK degi , Ye Esi mashgooli ka kaam hai k Fitno ko khatm bhi kar dega aur Mehfooz bhi kar dega ,
"__Hume fursat nahi hai k Hume ye kaam mila hua hai , Kya kaam Mila hua hai ? K har musalman ko kam se kam Kalma Sikhla kar Johann se bachao ,Logo ki Zubaan per Kalme ke alfaaz bhi DURUST nahi hai'n , Khuda ki qasam ab kaam maqsad se hat gaya , thak gaye log , Maqsad se hat gaye isliye thak gaye ,
*Tay kar lo ( Aaj se ) Mujhe Logo ka kalma theek karana hai uska mafhoom samjhana hai ,*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Apne Aapko Theek Karne Ka Raaata*
↬• Jab Momin Ki Dua Momin ke Haq mai Uski Duniya ke liye maqbool hai ,to Momin ki Dua Momin ke Haq mai uski Akhirat ke liye mardood kyu hogi ,
★• Isliye Sathiyo'n ke liye istigfaar kare aur Sathiyo'n se Darguzar kare  ,Badi badi Galtiya'n hui hai'n Lekin Jo log kisi ijtimai kaam per mujtama hote hai'n WO Galtiyo'n ko moju nahi banate ,
★ •  Moju isliye nahi hai Kyunki kaam Har ek ki islaah ke liye hai , Doosre ki islaah ke liye nahi hai , Ye to Apne Aapko theek karne ka Raasta hai ,
★. Hadees mai aata hai k Doosro ki islaah ki fikr iske GAM ko bada degi aur isko kabhi tasalli nahi hogi  ,
❈…… .. _*Apne Mashware ko Kaam ke liye Khaalis Karo,*
↬• Ye Kaam Ki taraqqi ka zariya hai , Hamara Mashwara Ummat ki Salahiyato ko Deen per lagane aur Deen Ke taqazo ko poora karne ke bare mai hamara Mashwara hota hai ,
★• Ye hamara Usool hai , Zaati Jhagde Mashware mai nahi laate , Jab Tum Apne Mashwaro mai kaam  ke moju ke alawa koi cheez laoge to Tumhare Mashware ka moju kaam se hat jayega , Ye Ummat ke Deeni nuqsaan ka sabab banega,
★ • Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ki Aadat thi k Aap Shakhsi masa'il ko mashware mai laate nahi they, Faisle bhi nahi, Farmate Jiski tabiyat ka rujhaan Jiski taraf ho usse ja kar mashwara kar lo  ,
★. Aap Sallallahu Alaihivasallam Hujre se Bahar nikle to Do Aadmi Aapas mai Bahas kar rahe they ,Ek Bakri bech raha tha aur ek khareed raha tha , Khareedne wala keh raha tha k qeemat kuchh Kaam kar lo ,Bakri wala kehta k qeemat yahi rahegi ,
★• Aap Nazar aa gaye to to usne arz kiya K Ya Rasulallah Aap Bakri wale se keh de k Bakri ki qeemat Zara Kam kar de Mai'n khareedna chahta hu'n ,
"__Aapne Haath utha diye , farmaya kal mai Allah se Zaalim ban kar milna nahi chahta ,
★• Taajir ko kya karna chahiye iske fazail bataye , 
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Kaam mai Gair Jaanib Ban kar Raho*
↬• Log Badi Asaani se logo ke zaati masle mai dakhil ho jate hai'n Kyunki Akhirat ka Fikr nahi hai k Waha'n Jawab dena padega ,
★• Baaz Martaba Aadmi bada banne ke liye aur logo Ki nazar mai Mehboob banne ke liye doosro ke jhagde mai pad jata hai Apna kaam chhod kar ,
★ • is Kaam mai Gair Jaanib ( Yani Nutal k Hume kisi se matlab nahi ) ban kar chaloge to tum tarakki karoge ,Kaam bhi tarakki karega , Agar Gair Jaanib daar ban kar nahi honge to Jaanib daari bhi Hume Jaanib kar degi , Aap iske Aadmi hai'n ,Aap iske unke Aadmi hai'n ( Yani Gutbaazi hogi ) fir Aap Kaam ke Aadmi nahi rahenge ,
★. Aapne dekha hoga Taanga jab Sadak per chalta hai to Ghodo Ki dono Aankho per Patta laga hota hai k Daaye Baaye na dekhe  ,Agar ye Daaye Baaye dekhega to iski chaal mai fark aayega ,
★•isliye Yaksooi , Apne Kaam se Kaam Rakho ,*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Hamari Line Duniya se Alag hai*
↬• Hazrat Barira Raziyallahu Anha bahut khoobsurat thi , Hazrat Mugees Raziyallahu Anhu bahut Badsoorat , inko Barira se bahut muhabbat aur Barira ko Mugees se nafrat ,
★• Logo ne kaha k Aapka hukm Maan legi Aap Barira ko keh dijiye k Mugees ko qubool kar le , Aap Kahenge to WO Haa'n kar lengi  ,
★ •  Aapne bulaya Barira ko ,Kya khayal hai agar tum Mugees ko qubool kar lo ,Barira ne kaha k ye Aapki Raay hai ya Hukm hai ,
★.Hukm per to gardan kata denge isme koi do Raay nahi,  Agar Aapki Raay hai to mujhe uski koi zarurat nahi ,
★•Aap Sallallahu Alaihivasallam Ki Raay ka Saaf inkaar kar diya ,Ye Aurat ka Apna Sakhsi masla hai , To Aapne farmaya - Hamara Hukm nahi hamari Raay hai ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Aap Sallallahu Alaihivasallam se Teen Sawal*
↬• Saathi uljhe hue hai zaati masailo mai , Jab Sahaba Kiraam Koi uljha hua masla le kar aate Aapke Paas , Aap farmate -Jao Apna Kaam Karo , Apni Duniya ka maamla tum achchi tarah jaante ho ,Ye hamari line nahi hai,
★• Aap Sallallahu Alaihivasallam se Teen sawal kiye gaye , Bas ye bata dijiye k Ashabe Kahaf kon they, Zulkarnen kon they aur Rooh kya hai ?
★ • Ye haqeeqat hai lekin Ye Kisse  Kahaniyo ke liye Aap nahi bheje gaye , To Aap pareshan ho gaye k mai'n kya karu ,?
★. To Allah ne farmaya k agar koi Aapse hat kar sawal kare to sarsari jawab de kar taal diya Karo aur Aapko is bare mai logo se puchhne Ki bhi zarurat nahi hai  ,Aap to us cheez ka fikr kijiye jis cheez ke liye Aapko bheja gaya hai ,
★• isliye Aapne ek Hadees mai farmaya Sahaba se k Jis kaam ko Maine tunhe karne ke liye kaha nahi tum uske bare mai mujhse sawal mat kiya karo , Jo karne ko kaha gaya wahi karo ,
-*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Ek Darne Ki Baat ,*
↬• Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Paas umoor aate they ,Log Apne andaz se umoor rakhte ,
★•  Suno ye bhi ek darne Ki baat hai , k Baat mashware mai kis andaz se rakhni hai k baat mashware mai is andaz se rakho k baat tay ho jaye ,
★ • To Aapne farmaya Sahaba Kiraam se k mai'n tumhe ek cheez se darana chahta hu'n WO ye hai k tum mere paas umoor le kar aate ho aur Tumme ka baaz baaz ke muqable mai bahut tez zubaan hota hai , WO masle Ki soorate haal is tarah rakhega saamne k hum uski baat se mutassir ho kar uske Haq mai faisla kar denge ,
"__To WO ye baat jaan le k humne jiske Haq mai faisla kiya hai WO faisla kiya hai jahannam ke ek tukde ka _,"
★. Saada kaam hai  , Saada zahan se chalega ,Chalakiyo se nahi , Chalaki to Duniya mai bhi nahi chalti ( Chalaki karne wala aage jaa kar fas jata hai ) to Deen mai Chalaki iska to koi tasavvur hi nahi hai ,Kyunki Deen to amanat hai ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Mashwara Hamare Kaam Ka Waqqar Hai*
↬• Apne mashwaro ko kaam ke liye khaalis karo , Jitna Mashwara Kaam ke liye khaalis hoga utna Mashware mai waqaar aayega ,
★• Hamare Saare kaam ka waqaar mashware mai hai , Jis tarah Poore islam ka Waqaar Namaz hai ,
★ •Jo Namaz ko waqar ke saath durust kar ke padh lega WO iska ( Namaz ka ) Asar poore Deen per padhega ,Poora Deen Qaa'im ho jayega  ,
★.isliye hamare saare kaam ka waqar Mashwara hai ,aur ek baat arz karu Aalami markaz ka hi Mashwara hai, Bangle Wali masjid Aalami markaz hai aur Ta-qayamat Markaz hai  ,
★• Maulana Obedullah Sahab farmate they k Hume yaqeen hai Hazrat ( Maulana Ilyaas Sahab Reh. ) ne is tarah kaam ko  Allah ke yaha'n qubool karwaya hai k Mehndi Alaihissalam tak pahunchega , Maine Maulana Ilyaas Sahab Reh. Ki WO kaifiyat dekhi hai k kaam waha'n tak pahunch jayega ,
*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Mashwara Saare Aalam Ke Taqazo ko Sochne ka Aur Poora karne Ka Hai*
↬• Apne mashware mai waqaar paida karo aur Waqaar ita'at mai hai ,inkaar ,israar mai nahi,
"__inkaar ,israar se to Mashwara Parliament ban jata hai, Waha'n Jamhuriyat Ki nahusat hai Kyunki islam mai jamhuriyat nahi hai Mashwara hai ,isliye islam mai Barkat hai mashware Ki vajah se ,Aap dekh lo Seerat Ki jitni bhi badi badi barkate hai'n WO Sab Mashware per hai ,
★• Hamara Mashwara Saare Aalam ke taqazo ko sochne ka aur Saare Aalam ke taqaazo ko poora karne ka Mashwara hai  ,iske alawa hamari koi shoora nahi ,
★ • Jo Baat pehle Din thi WO baat aaj bhi wahi hai ,humne is koshish koi kami nahi  ki hai k mashware wale mashware mai aawe ,
★. Ye mutzaat hai ,Aalami Shoora ,Aalami Markaz ,Ek mashwara hai , ek marza hai , Jese Masjid Ki ek Namaz hoti hai Do nahi hoti , Makroohe Tehrimi hai ,Baad mai aane wale jama'at masjid mai nahi kar sakte , isi tarah Mashwara hai ,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
❈…… .. _*Hume Sabki Zarurat Hai*
↬• Doosri Baat ye Zaruri hai k Kisi se mustagni na ho ,k Hume inki zarurat nahi hai ,
★•  Hume sabki zarurat hai, Sabke paas Jao , Sabka ikraam karo ,Sabko saath lo ,Jinki taraf se nagawaari pesh aaye Unka ikraam Karna Asal ikraam hai ,Varna Mohsin ka ikraam to ahsaan ka badla hai , WO to Kameena hai Jo Ahsaan ka badla na de ,
★ • Jo Aziyat ka badla Ahsaan se de Ye Nabuwat ka muqaam hai ,isko sikhlaya gaya hai, iski maahq karwayi gayi hai ,Agar Tumne Aziyat ka badla Ahsaan se diya to ye tumhara jigri Dost rahega , Ye Qur'an ka faisla hai ,Qur'an Ki baat sachchi hai ,
★. Aapki jaan lene wale Aapke Janisaar kese bante they, Aur koi hikmat nahi thi Sivaye ikraam ke , WO dekhte they k hamari ab tak Ki koshish se inhone hamare khilaf kya kiya ?
★•Mukhalfat se Mukhalif ka nuqsaan hai ,Kaam ka nuqsaan nahi hai ,Ye bhi logo ka khayal galat hai k Kaam ka nuqsaan ho raha hai ,
★•_Hadees mai aata hai Jo Aadmi ye kahe ,Log Halaak ho gaye, Log Halaak ho gaye ,WO Sabse zyada halaakat mai hai , isliye Hamara kisi se ikhtilaf nahi hai , Agar hamari taraf se kisi ko ikhtilaf hai to aa kar betho ,ikhtilaf khatm karo , Kyunki Partiya'n ban kar kaam nahi chalega ,Islam mai to party hai hi nahi ,Ahle Haq Ki Party nahi hoti ,
"__isliye Hume in cheezo ka khayal karna hai k ek doosre ka tawun kare ,Kaam karne walo mai bhi aur Deen ke doosre Shobo ka  bhi Tawun kare ,
------- *
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

 *- Hazrat Ji Maulana Sa'ad Sahab DB.( Qul Hind Mashwara 20-03-17 )*
* Admin Ki Diary_,*
☞ *Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He*,
                         
              ⚀ *Talib e Dua*,
             ⊙ *Haqq Ka Daayi*,
━═─────────────────═━

Post a Comment

 
Top