0
✨⚡⚵
⚵                                          
     ❈ *Bismillahirrahmanirrahim*  ❈
╭•∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮
✿ *JANNAT-KE-HASEEN MANAZIR* ✿
╰•∽–∽–∽–∽–∽–∽•╮       
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Adna Jannati Ki Jaah v Hashmat aur Qadaro Manzilaat,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Adna Darje ke Jannati ke Jaanat ke Saat  darjaat honge Ye Chhate per rehta hoga ,Uske ouper saatva darja hoga ,
__Uske Teen so Khaadim honge , Uske saamne rozana Subeh v Shaam Sone chaandi ke teen so piyaale khaane ke pesh kiye jayenge , Har ek Piyaale mai ese qism ka khaana hoga Jo doosre mai nahi hoga aur Jannati uske Shuru mai ese hi lazzat payega jese k uske aakhir se ,aur WO ye kehta hoga __Ya Rab agar Aap mujhe ijazat de to mai'n tamaam Jannat walo ko khilaau'n aur pilaau'n Jo kuchh mere paas hai , usme kami na hogi ,
__Uski Hoore'n mai se bahattar ( 72 ) Biviya'n hongi unme se har ek ki sureen zameen per ek meel ke barabar hogi _,"
            
.    Musnad Ahmad, 2/537 Majmauz Zawa'id, 10/400
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Adna Jannati ko Das Hazaar Khaadim,*
              
⚃➠ Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k maine Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se suna Aapne irshad farmaya :-
"__ Tamaam Jannatiyo mai sabse Kam darje ka jannati WO hoga Jiski khidmat mai Das hazaar Khaadim kamar basta honge , Har ek ke haath mai Do Do piyaale honge Ek Sone ka doosra Chaandi ka , Fir har ek mai ese rang ka khaana hoga k us tarah ka doosre mai nahi hoga ,
__Uske Aakhir se bhi WO wese hi ( dilchaspi ) se khayega Jis tarah uske Shuru se khayega , Uske Aakhir mai esi khhubu aur lazzat payega jesa k uske Shuru mai payega ,
__Fir uska ye khaana khaalis mushk ban kar ( Paseene ki shakl mai ) niklega , na to ye Peshaab karte honge ,na pakhaana ,na hi balgam fenkte honge , Bhai Bhai honge , Takhto per ek doosre ke saamne beth te honge _,"
       
.    Majmauz Zawa'id, 10/401 Targeeb v Tarheeb , 4/508
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Ek Hazaar Azeemu Shaan Mahallaat,*
              
⚃➠ Hazrat ibne Umar Raziyallahu Anhu se rivayat ki gayi hai k Aapne farmaya :-
"__ Adna Darje ka jannati WO hoga Jiske ek hazaar Mahallaat honge ,Har DO Mahallaat ke darmiyan ek saal tak chalne ka faasla hoga , Ye Jannati unke door ke hisso ko bhi wese hi dekhta hoga Jis tarah se unke qareeb ke hisso ko dekhta hoga ,
__Har Mahal mai Hoore'n hongi ,Fool daar podhe honge , ( Khidmatgaar ) ladke honge , Jis Shay ki khwahish karega usko pesh kar di jayegi ,"
Targeeb v Tarheeb ,Musannif ibne Abi Sheeba , Safatul jannah ibne Abid Duniya, 34       
⚃➠ Jannatiyo mai se Adna Darje ka Shakhs hoga Jiske Saat Mahallaat honge , Ek Sone ka hoga , Ek Mahal Chaandi ka hoga , Ek Mahal Moti ka hoga , Ek Mahal Zamarrud ka hoga , Ek Mahal yaqoot ka hoga ,
Ek Mahal esa hoga Jiska Aankhe adraak nahi Kar sakengi , Ek Mahal Arsh ke rang ka hoga , Har Mahal mai Zevraat aur Poshaake aur Hoore'n hongi Jinko Allah Ta'ala ke alawa koi nahi jaanta,"
       
.   Tazkiratul Qurtubi , 491
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Kam Amal Aulaad air Bivi Apne zyada Amal wale Walid aur Shohar ke darje mai Jannat mai Jayenge,*
              
⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
"__Aur Jo log imaan laye aur unki Aulaad ne bhi imaan mai unka saath diya Hum unki Aulaad ko bhi unke saath shamil kar denge aur hum unke Amal mai se koi cheez kam nahi karenge Har shakhs Apne Amaal mai majboor rahega ,"
 Surah At-Toor :- 21
       
*☞ Aulaad aur Walden ke darje Jannat mai,*
⚃➠Hazrat ibne Abbaaas Raziyallahu anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Allah Tabarak Wa Ta'ala momin Ki Aulaad ko momin ke darje mai uske saath mila denge Agarche WO ( nek ) Amal mai usse kam ( darja ho taki unke qareeb karne se ) uski Aankhe thandi ho ,"
   
.   Haakim ,2/468 Majmuaz Zawa'id,7/114
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Aulaad aur Bivi ,Walid aur Shohar Ke darje Ki Jannat mai,*
              
⚃➠Shareek Saalim v Saied bin Juber v ibne Abbaas Raziyallahu Anhum se rivayat karte hai'n , Shareek farmate hai'n k mera gumaan hai k ibne Abbaas Raziyallahu anhu ne is hadess ko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se naqal kiya tha k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jab Aadmi Jannat mai dakhil hoga to Apne Walden aur Bivi Bachcho ke mutalliq puchhega ( k WO kaha'n hai'n) to usko bataya jayega  k WO ( nek amaal kar ke ) Aapke darje tak ya Aapke Amal tak nahi pahunche ,
__To WO arz karega _Ya Rab maine to Apne liye aur unke liye ( sabke liye ) Amal kiya tha ( taki Aap Apne fazal ke saath unko bhi mere saath Jannat mai jagah ataa farmayenge )
__Chunache un Sab hazraat ko us jannati ke saath darjaat mai pahuncha diya jayega ,
__Fir Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu anhu ne ye aayat tilawat farmayi :- ( Tarjuma ) WO log Jo imaan laye aur unki Aulaad ne bhi imaan mai unka saath  diya ( to hum unki Aulaad ko bhi unke saath Jannat mai shamil kar denge ),     
    
.    Tabrani fil Sageer ,640 Majmauz Zawa'id ,7/114
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Kam Amal Walden Zyada Amal Ki Aulaad Ki Jannat Ke darje mai,*
              
⚃➠Kalbi Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu anhu se rivayat karte hai'n k ,
"__Agar Walden Aulaad ke muqable mai A'ala darje mai honge to unki Aulaad ko unke Walden ke darje mai faa'iz kiya jayega ,
__Aur agar Bete Walden se martabe mai bade hue honge to Walden ko un Beto ke darje mai faa'iz kiya jayega ,"
     
Haadi Al Ravaah ,482
⚃➠ Hazrat Saied bin Juber Raziyallahu anhu se momin Ki Aulaad ke mutalliq sawal kiya gaya to farmaya :-
"__wo Apne Walden mai se behtar ke paas honge agar Baap maa'n se behtar tha to WO Baap ke saath honge aur agar Maa'n Baap se behtar thi to WO maa'n ke saath honge ,"
Ba hawala_Abu Naiem ,
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Aulaad Ki Dua se Darjaat mai Taraqqi Haasil hogi,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"___ Bila Shubha Allah Tabarak wa Ta'ala Nek Aadmi ka Jannat mai darja buland farmayenge to wo arz karega :-Ey Rab ! Mere liye ye darja kaha'n se badh gaya ?
To Allah Ta'ala irshad farmayenge k Tumhare liye tumhare Bete ke istigfaar ki vajah se ( tumhara darja buland kiya gaya hai ),
Musnad Ahmad, 2/509 Majuaz Zawa'id ,10/210     
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ A'ala Darje ke Baaz Momineen Ke muqamaat ,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jannat wale apne ouper baala khano mai rehne walo ko apne Amaal ki kami beshi ki vajah se ese dekhenge Jis tarah se ( log ) magrib ya mashriq ke ufaq mai gaayab hone wale chamakdaar sitaare ko dekhte hai'n,
Sahaba Kiraam Raziyallahu anhum ne arz kiya :- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Kya ye Ambiya Kiraam ki manazil hongi Jinme inke siva koi nahi pahunch sakega ,"
Farmaya :- Kyu nahi mujhe us zaat ki qasam jiske qabze mai meri jaan hai ( un baala khaano mai ) wo log rahenge Jo Allah per imaan ( kaamil aur A'ala darje ka ) laye aur uske Rasoolo ki tasdeeq ki ( kaamil tor per ) ,"
             
.    Muslim ,2831 Haadi Al Ravaah, 111
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Darjaat Aayaate Qur'an Ke Barabar hai'n,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Saied Khudri Raziyallahu anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Hafize Qur'an Jab Jannat mai dakhil hoga ( to usko ) kaha jayega Padhta Ja aur Chadhta Ja ,
_To wo Padhega aur har Aayat ki jagah ek darja aur chadhega Hattaki usko jitna yaad hoga uska Aakhri hissa bhi padh lega _,"
Musnad Ahmad ,2/192      
*⚃➠ Faayda,* isse maloom hua k Hafize Qur'an ( jo Qur'an per Amal bhi karta ho ) Jannat Ke A'ala darjaat per faa'iz hoga Basharte k Usko Qur'an e Paak ka Kaafi hissa Yaad ho Laparwahi se bhool na jaye,      
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Firdaus Arsh se Kitna Qareeb hai,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Umama Raziyallahu anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Tum Allah Ta'ala se Firdaus maanga karo Kyunki Ye Jannat ka umda hissa hai ( is Firdaus ke ) rehne wale Jannati Arsh ki char charahat ( ki awaaz ) sunenge _,"      
     
.    Ba Hawala - Tabrani ,8/294 Majmauz Zawa'id ,10/398
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Darjaat KIS Cheez ke Hai'n,*?
              
⚃➠ Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"___ Jannat Ke So ( 100 ) darje hai'n Unme ke har darje ka darmiyani faasla Asmaan v Zameen Ke faasle ke Barabar hai ,
Unme se pehle darje ke ghar ,Kamre ,Uske darwaze ,Palang aur unke taale ( sab ) chaandi ke honge ,
Aur doosre darje ke ghar Kamre, Uske darwaze Uske Palang aur uske Taale sone ke honge ,
Aur Teesre darje ke ghar uske Kamre Uske darwaze, Uske Palang aur uske Taale Yaqoot , Lo lo aur Zabarjad ke honge aur baqi Sattanve ( 97 )  darje KIS Cheez se bane hai'n Sivae Allah Ta'ala ke koi nahi jaanta_,"
            
.    Ravaah Abu Naiem, 2/ 234
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Darjaat Buland Karne wale A'amaal,*
              
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Kya mai tumhe wo Amal na batau'n Jisse Allah Ta'ala Khatae'n mitaa te hai'n, aur Darjaat Buland karte hai'n ,?
( Sahaba Kiraam ne )arz Kiya ,Ya Rasulullah Kyu nahi ?
Farmaya :- Wazu Ko sardi aur takleef ke waqt achchhi tarah se karna , Masjid tak zyada qadam kar ke Jana ,Namaz padh kar agli Namaz ke intezar mai Rehna Ye hai gunaho se bachne ka moqa aur tareeqa  ,"
               
.   Bahawala Muslim ,Tirmizi ,Bayhiqi,
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞Jannatul Firdaus Chaar hai'n,*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n , :-
"_Jo Allah Ta'ala ke saamne pesh hone se dar gaya ( aur gunaah karne se Ruk gaya to uske liye ) do jannate hai'n ( ek sone ki aur ek chaandi ki ) , iske Baad farmate hai'n :- in do jannato ke niche do jannate aur hai'n ,
 Surah Rahman ,       
⚃➠ Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Do jannate Esi hai'n k unke bartan unke zever aur Jo kuchh unme hai'n chaandi ka bana hua hai , Jannat walo ke darmiyan aur uske darmiyan k wo Apne Parwardigaar ka didaar kare sirf ek kibriyayi ki chaadar hogi Allah ke chehre Mubarak per jannate Adn hai'n,   
⚃➠ *Faayda,* is hadees Sharif se maloom hota hai k jannatul Firdaus ki tadaad Chaar hai'n, unme do jannate sone ki hongi aur do chaandi ki ,ye Chaar jannate ounche darje ki hongi ,isliye k unke aur Allah Ta'ala ke didaar ke darmiyan Kibriyayi ki chaadar hogi, In jannato wale jab chahenge Allah Ta'ala ka didaar kar sakenge , digar bahut si rivayato mai Aap padhenge k aksar jannate Esi hai'n jinme Allah Ta'ala ke didaar ka ek waqt muqarrar hoga ,
       
.    Musnad Ahmad ,4/416 Majmauz Zawa'id ,10/397
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannatul Firdaus ki Shaan v Shokat,*
              
⚃➠Hazrat Amru bin Salamat Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
       
"__ Allah Ta'ala ne Jannatul Firdaus ka maidaan Apne dasto Mubarak se banaya hai fir us per khaalis Sone ki iynt se aur khoob mahakne wali mushq ki iynt se iski tameer ki ,
Isme umda aqsaam ke Mevo ke darakht lagaye ,umda khushbu paida ki ,isme nehre chalayi ,
Fir hamare Parwardigaar ne Apne arsh per Jalwa Afroz ho kar iski taraf dekha aur farmaya ,Mujhe mere galbe ki qasam tujhme daymi sharab pine wala aur zinakaari per data rehne wala Dakhil nahi ho sakega,"
 ABU Naiem ,440
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Jannat mai Firdaus ek pahaad hai usi se Jannat ki Nehre nikalti hai'n,
Wsful Firdaus, 59    
⚃➠Hazrat Hassan bin Atiya Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__Allah Ta'ala Jannatul Firdaus ki taraf har raat sahri ke waqt Nazar karte hai'n aur ( usko ) hukm dete hai'n k Apne husn ke saath mazeed haseen ho jaye , Beshak Wahi log kaamyaab hai'n jo Momin hai'n ,"     
  Wasful Firdaus ,60
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannatul Firdaus Arsh Ke niche hai,*
              
⚃➠Janab Sarvare Kaaynaat Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n :-
"__ Tum Allah Ta'ala se Jannatul Firdaus ka sawal Kiya Karo kyunki ye Jannat Ka umda aur A'ala hissa hai ,isi se Jannat ki Nehre foot ti hai'n aur ye Jannatul Firdaus wale ( Arsh ke qareeb hone ki vajah se ) Arsh ki char charahat ki awaaz bhi sunenge ,"
 Wasful Firdaus ,55 , Majmauz Zawa'id ,10/398       
*⚃➠Faayda* :- Allama Qurtubi Reh farmate hai'n k kaha gaya hai k Jannate Saat hai'n,
1 -Darul Jalaal ,2-- Darus Salam ,3--Darul Khuld ,4- - Jannate Adn ,5--Jannatul Maava ,6-- Jannate Naiem ,7-- Jannatul Firdaus ,
Aur ye bhi kaha gaya hai k faqat Chaar hai'n Hazrat Abu Moosa Ash'ari Raziyallahu Anhu ki saabqa hadees ki bina per , Allama Halimi Reh ne bhi isko akhtyar kiya aur farmaya hai Do jannate muqarrabeen ki hongi aur doosre darje ki do jannate Hazraat Ashabul Yameen ki ,Lekin har Jannat mai kai darjaat , manzile aur darwaze honge ,      
  Tazkiratul Qurtubi ,440
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat Ke Naam aur Khususiyat --
              
¶__ Ba Aitbaar Zaat ke ek Jannat hai , Magar Ba Aitbaar Sifaat ke iske kai naam hai'n ,Jis tarah se Asma e Bari Ta'ala ,Asma e Qur'an ,Asma e Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam,Asma e Qayamat aur Asma e Dozakh  bahut hai'n Magar Maqsood unme Zaat waahid Hoti hai ,( Magar haa'n uske darjaat bahut hai'n )
*⚃➠1- Jannat __
* Ye Jannat ka mashoor Naam hai, Jo us ghar aur uski tamaam qism ki niyamato ,lazzato ,raahato ,Sarwar aur Aankho ki thandako per istemal hota hai ,Jannat Arbi mai Baag Ko kehte hain aur Baag bhi esa jiske darakht aur podhe ghane ho aur Dakhil hone wala unme chhip jaye ,               
        ┅┅━━═۞═━━┅
         *☞ 2- Darus Salaam,*
              
⚃➠Allah Ta'ala ne Jannat ka ek Naam Darus Salaam bhi rakha hai , Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
لَهُمْ دَارُ السَّلَامِ عِندَ رَبِّهِمْ
( Surah Al An'am ,127 )  
"__Momineen ke liye unke Rab ke paas Darus Salaam hai ,     
⚃➠ Aur ek jagah irshad farmaya :-
وَاللَّهُ يَدْعُو إِلَىٰ دَارِ السَّلَامِ
( Surah Yunus ,25 )
"__ Aur Allah Ta'ala ( logo Ko ) Darus Salaam ki taraf bulata hai ,"    
⚃➠Jannat is Naam ki Sabse zyada mustahiq hai kyunki ye har aafat aur makrooh cheez se Aman v Salaamti ka ghar hai , Ye Allah Ta'ala ka ghar hai , Kyunki Allah Ta'ala ka ek Naam Salaam bhi hai ,Jisne usko Salaamti wala banaya hai aur uske makeeno Ko Mamoon v mehfooz farmaya hai,
       
⚃➠Ye Jannat wale bhi aapas mai Salaam ka tohfa pesh karenge aur farishte bhi unke saamne Jis darwaze se dakjil honge Assalamu alaikum kahenge aur Rab Raheem ki taraf se bhi Salaam pesh Kiya jayega aur Jannat wale durust baat karenge usme koi lagu behoodgi aur bekaar pan nahi hoga,
 
        ┅┅━━═۞═━━┅
         *☞ ,3-Darul Khuld*
              
⚃➠ Jannat ka Ye Naam isliye rakha gaya hai kyunkiTeresa Ahle jannat hamesha ke liye isme rahenge ,waha'n se kabhi nahi niklenge ,
       
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n:- ataa hai tere Rab ki kabhi khatm na hone wali ,"   
        *☞ 4-Darul Maqama,*
⚃➠Allah Ta'ala Jannat walo ki Zubaani Qur'an Paak mai irshad farmate hai'n:-
وَقَالُوا الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَذْهَبَ عَنَّا الْحَزَنَ إِنَّ رَبَّنَا لَغَفُورٌ شَكُورٌ .الَّذِي أَحَلَّنَا دَارَ الْمُقَامَةِ مِن فَضْلِهِ لَا يَمَسُّنَا فِيهَا نَصَبٌ وَلَا يَمَسُّنَا فِيهَا لُغُوبٌ
 
*~~Surah Fatir, Aayat 34-35:*
       
*➠Tarjuma:-* Aur kahenge k Allah ka laakh laakh shukr hai Jisne humse gam ko door kiya beshak hamara parwardigaar bada bakhshne wala bada qadardaan hai , Jisne humko Apne fazal se hamesha rehne ke muqaam ( Darul Maqaama) mai laa utaara jaha'n per na Hume koi kalfat pahunchegi aur koi humko khastgi pahunchegi ,"
"__Hazrat Maqatil is aayat mai Darul Maqama ki tafseer Darul khuld ke saath karte hai'n, Jisme Jannati hamesha rahenge ,na unko maut aayegi aur na hi unko isse nikaala jayega ,       
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ 5- Jannatul Maavaa*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n:-
عِندَهَا جَنَّةُ الْمَأْوَىٰ
*~Surah An-Najm, Aayat-15:*
Yani Sidratul Muntaha ke paas hi Jannatul Maavaa hai , Arbi mai maavaa thikaane ko kehte hai'n Yani rehne ki jagah sirf Jannat hai ,       
⚃➠Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se rivayat hai k yahi WO Jannat hai jaha'n tak Hazrat Jibreel aur Hazraate Malaaika jaa kar rehte hai'n _"
"_Aur Hazrat Maqatil aur Kalbi kehte hai'n k ye WO Jannat hai jisme Shaheedo ki Roohe'n jaa kar rehti hai'n, "
"__Hazrat Ka'ab kehte hai'n k Jannatul maavaa WO Jannat hai jisme sabz rang ke parinde rehte hai'n, unhi mai Shaheedo ki Roohe'n charti firti hai'n ,
    
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
وَأَمَّا مَنْ خَافَ مَقَامَ رَبِّهِ وَنَهَى النَّفْسَ عَنِ الْهَوَىٰ .فَإِنَّ الْجَنَّةَ هِيَ الْمَأْوَىٰ
*Surah An-Naziat,Aayat 40- 41*
*➠Tarjuma :-* "__Pas Jo Shakhs  Apne Rab ke saamne pesh hone se dar gaya aur nafs ko uski khwahishaat se baaz rakha Pas Jannat hi uska thikaana hai ,"              
        ┅┅━━═۞═━━┅
           *☞ 6-Jannate Adn*
              
⚃➠ Ye bhi Jannat ka ek Naam hai aur Sahi ye hai  k tamaam Jannato ka majmui Naam hai aur Sab Jannate Jannate Adn hai'n ,       
⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
    *Surah Maryam, Aayat 61*
جَنَّاتِ عَدْنٍ الَّتِي وَعَدَ الرَّحْمَٰنُ عِبَادَهُ بِالْغَيْبِ
"_  in Jannate Adn mai Jinka Rahman ne Apne Bando se gaybana vaada farmaya hai ,( WO uske vaade ki hui cheez ko zaroor pahunchegi ),"  
⚃➠ Aur irshad farmaya :-
      *Surah As-Saff, Aayat 12*
ُ وَمَسَاكِنَ طَيِّبَةً فِي جَنَّاتِ عَدْنٍ
"__Jannati Jannate Adn ( hamesha ki Jannato ) mai Pakiza gharo
Mai rahenge ,"      
*⚃➠ Faayda_* Hazrat Abdul Malik bin Habeeb Qurtubi Reh farmate hai'n k " Darul Jalaal " aur " Darus Salam "Allah Ta'ala ki taraf mansoob hai'n Lekin Jannate Adn Jannat Ka darmiyani aur Buland hissa hai aur Tamaam Jannato se ounchi hai ,
"_Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu aur Hazrat Saied bin Musayyib Reh farmate hai'n k ye Allah Ta'ala ka ghar hai ,Jisse uska Arsh saja hai ,Baqi Jannate iske ird gird hai'n Lekin ye un sabse Afzal ,Behtar aur zyada qareeb hai ,       
.    Wasful Firdaus ,20 Abu Naiem ,
        ┅┅━━═۞═━━┅
          *☞ 7-Darul Haywaan*
              
⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
*Surah Al-Ankaboot, Aayat 64*
وَإِنَّ الدَّارَ الْآخِرَةَ لَهِيَ الْحَيَوَانُ
       
"__Bila Shubha Darul Akhirat hi Darul Haywaan hai ,
⚃➠Mufassireen ke nazdeek Darul Akhirat se Darul Haywaan aur Darul Hayaat muraad hai ,Yani Jannat mai Hamesha ki Zindgi hogi maut nahi hogi , is Aayat ka matlab ye bhi hai k Akhirat ki Zindgi hi asal Zindgi hai ,Usme na kabhi fitoor aayega na kabhi fana ,Yani Jannat ki Zindgi Duniya ki Zindgi ki tarah nahi hogi ,
         ┅┅━━═۞═━━┅
         *☞ 8- Jannatul Firdaus*
              
⚃➠ Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
     *Surah Al-Kahf, Aayat 107*
إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ كَانَتْ لَهُمْ جَنَّاتُ الْفِرْدَوْسِ نُزُلًا
       
"__Beshak Jo log imaan laye aur unhone Nek Kaam kiye unki Mehmaani Ke liye Jannatul Firdaus ( Firdaus ke Baag ) honge ,
⚃➠ Firdaus ek esa naam hai Jo tamaam Jannat per bola jata hai aur Jannat ke Afzal aur A'ala darje per bhi bola jata hai, Lays Reh. farmate hai'n k Firdaus angooro ke baag wali Jannat hai , Hazrat Zahaak farmate hai'n k ye esi Jannat hai Jo darakhto se lipti hui hai ( Yani bahut darakhto wali hai aur ghane darakhto wali hai ),   
⚃➠ Agarche Firdaus bol kar tamaam Jannat muraad li ja sakti hai magar dar haqeeqat ye Jannat ke A'ala darje ka naam hai , isiliye Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k Jab tum Allah Ta'ala se ( Jannat ka ) sawal karo to usse Jannatul Firdaus maanga karo ,
              
        ┅┅━━═۞═━━┅
            *☞ 9-Jannatul Na'iem*
              
⚃➠ Allah Ta'ala ne Jannatul Na'iem ka zikr  Surah  Luqman,  Aayat 8, mai farmaya hai :-
إِنَّ الَّذِينَ آمَنُوا وَعَمِلُوا الصَّالِحَاتِ لَهُمْ جَنَّاتُ النَّعِيمِ 
"__Bila Shubha WO log Jo imaan laye aur Nek A'amaal kiye unke liye Jannatul Na'iem ( Ni'amato wali Jannat ) hai ,
⚃➠ Ye bhi tamaam jannato ka majmui Naam hai kyunki Jannat ke khaane ,Pine ,Libaas aur Soorte'n ,Pakiza hawae'n ,Khoobsurat Manazir ,Wasee makanaat vagera zaahiri aur Baatini ni'amate Sabko mushtamil hai ,

        ┅┅━━═۞═━━┅
        *☞ 10- Muqaamul Ameen*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n:-
*Surah Ad-Dukhan, Aayat 51-52*
إِنَّ الْمُتَّقِينَ فِي مَقَامٍ أَمِينٍ فِي جَنَّاتٍ وَعُيُونٍ
       
"__Beshak khuda se darne wale muqaam Ameen ( Aman ki jagah ) mai rahenge Yani baago mai aur nehro mai ,
⚃➠ Allah Ta'ala mazeed farmate hai'n :-
*Surah Ad-Dukhan, Aayat 55*
يَدْعُونَ فِيهَا بِكُلِّ فَاكِهَةٍ آمِنِينَ
    
"__Waha'n itminaan se har qism ke meve mangaate honge ,
⚃➠ in dono muqamaat mai Allah Ta'ala ne makaan aur Ta'aam ke aman ko Jama farmaya hai Chunache WO makaan se nikalne ka khof karenge na ni'amato se alag hone ka na maut ka ,
        ┅┅━━═۞═━━┅
           *☞ 11- Muqadi Sidq*
              
⚃➠Allah Ta'ala irshad farmate hai'n :-
*Surah Al-Qamar, Verse 54-55*
إِنَّ الْمُتَّقِينَ فِي جَنَّاتٍ وَنَهَرٍ .فِي مَقْعَدِ صِدْقٍ
       
"__Beshak har parhezgaar log baago mai aur Nehro mai honge Ek Mahdah muqaam ( Muqadi Sidq ) mai ," is Aayate kareema mai Allah Ta'ala ne jannato ka naam Muqadi sidq zikr kiya hai ,
         *☞ 12-- Tooba ,*
⚃➠ Hazrat Saied bin Masbooh Reh farmate hai'n k Hindi Zubaan mai Jannat ka Naam Tooba hai ,   
      *☞ Jannate Adn aur Darus Salaam Ki Afzaliyat ,*
⚃➠Ibne Abdul Hakam Raziyallahu Anhu se rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ,Jannate Adn Jannat ke baqi darjaat se no laakh guna badi hai aur Jannat Darus Salaam Jannate Adn se no laakh guna badi hai ,
       
*➠ Note:-* Jannat ke in tamaam Naamo ke mutalliq tamaam tafsilaat Haadi Al Ravaah se makhooz hai aur baaz maqamaat per ibne Qayyim Reh . ke bayan karda mazameen aur Ahadees ke hawale se baaz kitaabo se naqal kiye gaye hai'n ,
       
   Jannat Ke Haseen Manazir,
        ┅┅━━═۞═━━┅
       *☞ Sabse Afzal Jannat*
              
⚃➠ Jis tarah Allah Ta'ala ne tamaam farishto se Hazrat Jibreel Ko ,Tamaam insaano se Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ko ,Aasmano se ouper wale Aasman ko ,Shehro se Makka ko ,Mahino se Ashare Haram ko Raato se Lailatul qadr ko ,Dino se Juma ko ,Raat se iske darmiyani hisse ko ,Awqaat se Namaz ke Awqaat ko fazilat bakhshi hai ,
"__Usi tarah Allah Ta'ala ne Jannato mai se ek Jannat ko Apne liye muntakhab kiya usko Apne Arsh se qareeb ki khususiyat bakhshi ,Apne haath se usme podhe lagaye aur Wo Jannat tamaam Jannato ki sardaar kehlayi ,      
⚃➠ Allah ki zaat paak hai Jo chahti hai makhlooqaat ki tamaam aqsaam v anwaa'a mai kisi ek ko afzaliyat ka sarf bakhshti hai ,
            
.   Jannat Ke Haseen Manazir, 226
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Kin Cheezo Ko Allah Ta'ala ne Apne Mubarak Haath se Paida kiya,*
              
⚃➠Hazrat Abdullah bin Haaris Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__ Allah Ta'ala ne Teen cheeze Apne haath Mubarak se paida farmayi
(1) Hazrat Aadam Alaihissalam ko Apne haath se banaya ,
(2) Tauraat ko Apne haath se likha aur
( 3) Jannatul Firdaus ko Apne haath se paida kiya ,Fir farmaya Mujhe mere galba aur jalaal ki qasam isme sharaab ka aadi aur Dewas daakhil nahi ho sakega ,
Sahaba Kiraam ne arz kiya Ya Rasulallah ! Hum sharaab ke aadi ko to jaante hai'n, Ye Dewas kon hai ?
Farmaya _WO Shakhs Badkaari ko Apni Bivi mai barqaraar rakhe ,"
 Daarmi , Kanzul Ummaal ,        
⚃➠ Hazrat Samar bin Atiya farmate hai'n k Allah Ta'ala ne Jannatul Firdaus ko Apne haath se banaya WO usko har Jumeraat ko kholta hai aur Hukm deta hai Tu mere Auliya ( Dosto ) ke liye pakeezgi aur umdgi ke lihaaz se or Zaa'id ho ja _"
 Abu Shekh ,Haadi Al Ravaah ,146    
⚃➠Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Allah Ta'ala ne Jannate Adn ko Apne Daste Mubarak se banaya ,Uski ek iynt safed moti ki hai aur ek iynt surkh yaqoot ki hai aur ek sabz zabarjad ki hai , Uska gaara kastoori ka hai uski Bajri lo lo moti hai aur uski ghaas zafraan ki hai ,
Fir Allah Ta'ala ne farmaya ( ab ) Tu bol ! To usne kaha bila Shubha sahi log kamyaab hue Jo Momin hai'n , To Allah Ta'ala ne farmaya_Mujhe mere galba aur Jalaal ki qasam ! Koi Bakheel tere andar dakhil ho kar mera padosi nahi banega ,
   
.    Haadi Al Ravaah , Durre Mansoor 2/196 Majmauz Zawa'id ,10/397 Haakim ,2.392
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Ahle Jannat Ki Safo ki Tadaad ,*
              
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Ahle Jannat Ki ( Qayamat ke Din ) ek so bees ( 120 ) Safe hongi ( unme ) se meri ummat ki Assi ( 80 ) safe hongi _,"
 Abu Naiem ,239 Muajjam Kabeer Tabrani ,10350 ,Majmauz Zawa'id ,10/403 ,Musnad Ahmad ,1/453 , Tirmizi ,3546 ,Ibne maaja ,4289 ,Mishkaat ,5644      
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Bager Hisaab Ke Jannat mai Dakhil hone Wale,*
              
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maine Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ko ye irshad farmate hue suna :-
"__Meri ummat mai se ek jama'at Jannat mai dakhil hogi ye ( tadaad mai ) Sattar Hazaar honge , Unke chehre Chohdhvi Raat ke chaand ki tarah chamak rahe honge ,
"__Hazrat Akaasa bin Mohsin Raziyallahu Anhu jinhone Apne ouper dharidaar chaadar le rakhi thi arz kiya ,Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam! Aap Allah Ta'ala se Dua kare k WO Mujhe in hazraat mai shamil kar de , To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Dua farmayi k Ey Allah ! Isko un hazraat mai shamil kar de ,
"__Fir ek Ansaari Sahaba mai se ek Khade hue ,unhone bhi arz kiya Ya Rasulallah ! Allah Ta'ala se Dua kare k mujhe bhi unme Shamil kar de , To Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya Akaasa tumse sabqat kar gaya ,"
Bukhari ,6542 Muslim ,216,369,
       
⚃➠ Abu Umama Bahili Raziyallahu Anhu farmate hai'n k maine Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se suna Aap irshad farma rahe they :-
"__Mere Rab ne mere saath vaada farmaya hai k meri ummat mai se Sattar Hazaar ko Jannat mai dakhil farmayenge Na to unka hisaab hoga Na unko azaab hoga ( aur ) har hazaar ke saath Sattar hazaar aur Allah Ta'ala ki lapo mai se teen lape ( Musalmano mai se bager hisaab ke aur bager saza ke Jannat mai jayenge ),"
Ahmad ,5/268 Tirmizi ,2437 Tabrani Kabeer ,9/8/129            
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞Jannat Mai  Bager Hisaab Jane Walo Ki Siffat:-,*
              
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Teen qism ke log Jannat mai bager hisaab ke dakhil honge ,
1- WO Shakhs Jisne Apna kapda dhoya lekin usko lagane ke liye khushbu mayassar na hui,
2- WO Shakhs Jiske Chulhe per Do haandiya'n ( ek waqt mai ) kabhi na chadhi ,
3- WO Shakhs jisko paani ki Dawat di gayi Magar usse ye na puchha gaya k tum Konsa paani ( Sharbat ,paani ) pasand karte ho _,"
Durre Mansoor 2/99,
       
⚃➠Hazrat Ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n Jis Aadmi ne Veerane mai ( Musafiro vagera ke liye ) Koi Kunwa khoda Allah Ta'ala ki raza ke liye WO bhi bager hisaab Jannat mai jayega _,"
Qurtubi 2/374 Kanzul Ummal 6078

              
⚃➠ Hazrat Ali bin Husain Reh. Farmate hai'n :-
"_Jab qayamat ka Din hoga ek munadi Nida karega tumme se fazilat wale kon hai'n ? To insaano mai se kuchh log khade honge ,unse kaha jayega Jannat ki taraf chalo ,Fir unki mulaqaat farishto se hogi to WO kahenge tum kaha'n ja rahe ho ,To WO hazraat kahenge Jannat ki taraf ,Farishte puchhenge Hisaab se Pehle ? WO kahenge haa'n , WO puchhenge Tum kon ho ? WO kahenge Hum fazilat wale hai'n , Farishte kahenge Tumhari konsi fazilat hai ?
__ WO jawab denge k jab hamare saath Jahalat ka bartaav kiya jata that Hum burdbaari akhtyar karte they ,Jab Hum per zulm kiya jata tha Hum Sabr karte they, Jab Hamare saath koi buraai ki jati thi Hum maaf kar dete they ,
__Farishte kahenge k tum Jannat mai dakhil ho jao Nek Amal karne walo ke liye behtreen ajr hai ,       
⚃➠ Fir ek munaadi Nida karega Ahle Sabr khade ho jaye to insaano mai se kuchh log khade honge ,ye bahut kam honge ,Unko hukm diya jayega Jannat ki taraf chale jao to unko bhi Farishte milenge aur unse esa hi kaha jayega to WO kahenge hum Ahle Sabr hai'n ,WO puchhenge tumhara Sabr kya tha ?
__WO kahenge humne Allah ki farmabardaari mai Apne nafso ko ( unki khwahishaat se ) roka aur humne Allah ki nafarmaniyo se usko baaz rakha ,"
__Farishte kahenge tum bhi Jannat mai dakhil ho jao Nek Amal karne walo ke liye behtreen ajr hai ,    
⚃➠Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n k Fir ek munaadi Nida karega Ab Allah ke padosi khade ho jaye ,to insaano mai se kuchh log khade honge ye bhi bahut kam honge ,unko bhi hukm hoga Jannat ki taraf chale jao ,to unse bhi Farishte milenge aur unko bhi wesa hi kaha jayega ,Ye kahenge Tum kis Amal se Allah Ta'ala ke uske ghar mai padosi ban gaye ?
__WO kahenge Hum sirf Allah Ta'ala ki muhabbat mai ek doosre ( Musalmano) ki ziyarat karte they aur Allah Ta'ala hi ki khaatir aapas mai mil kar beth te they aur Allah Ta'ala hi ke liye hum ek doosre per kharch karte they,
__Farishte kahenge tum bhi Jannat mai dakhil ho jao Nek Amal karne walo ke liye behtreen ajr hai_,"
            
.   * Tazkiratul Qurtubi ( 2/374 ) ba hawala Abu Naiem*
              
⚃➠ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Jab Allah Ta'ala Pehle aur Pichhle ( insaano aur Jinnat ) ko ek maidaan mai Jama Karenge to ek munaadi Arsh ke niche se Nida karega Allah ki ma'arfat rakhne wale kaha'n hai'n ? Mohsin Kaha'n hai'n ? ( Jo ibaadat karte waqt Goya khuda ko dekhte they ya ye yaqeen Karte they k Allah Hume dekh raha hai )
__Farmaya k Logo mai se ek Jama'at uthegi aur Allah Ta'ala ke saamne khadi ho jayegi , Allah Ta'ala farmayenge halanki WO isko khoob jante honge ,Tum Kon ho ? To WO arj karenge Hum Ahle ma'arfat hai Aapke saath humne aapko pehchana tha aur Aapne Hume is laayaq banaya tha ,
       
__To Allah Ta'ala farmayenge Tumne sach kaha , Fir Allah Ta'ala farmayenge Tum per koi saza aur Takleef nahi Tum meri Rahmat ke saath Jannat mai dakhil ho jao ,
__Fir Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam muskura pade aur farmaya :- Allah Ta'ala in hazraat ko Roze Qayamat ki Holnaakiyo se nijaat ataa farma denge _,      
 Tazkiratul Qurtubi ,2/375 ba hawala Abu Naiem,
              
⚃➠ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n Jab Qayamat ka Din hoga ek munaadi Nida karega Tum abhi jaan loge Ashaabul Karam ( Buzurgi aur Shaan Wale ) kon hai'n , Har Haal mai Allah Ta'ala ki Hamdo Sana karne wale khade ho jaye _To WO khade ho jayenge aur unko Jannat ki taraf rawana kar diya jayega ,
*__Fir doosri martaba Nida ki jayegi Tum Aaj anqareeb jaan loge Ashabul Karam kon hai k WO Log khade ho jaye Jinke Pehlu ( Raat ke waqt ) Apne bistaro se ( ibaadat ke liye ) alag rehte they Jo Apne Rab ko khof aur Tama'a ke saath pukara karte they aur Jo kuchh humne unko Rizq diya tha usse kharch karte they ( Zakaat aur Sadqaat ki Shakl mai ) ,
*__Chunache ye hazraat khade honge aur unko bhi Jannat ki taraf rawana kar diya jayega ,
*__Fir Teesri martaba Nida ki jayegi Tum abhi jaan loge Ashabul Karam kon log hai'n ab WO Log khade ho jaye Jinko Allah Ta'ala ke Zikr se Koi khareedo Farokht gaafil nahi karti thi , Chunache inko bhi Jannat Ki taraf rawana kar diya jayega _,"
              
.    Tazkiratul Qurtubi ,2/375 ba hawala Abu Naiem ,
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam aur Aapki Ummat Sabse Pehle Jannat mai Jayenge*
              
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Hum Aakhri Ummat hai'n ( lekin ) Roze Qayamat ( hum ) sabse Pehle ( Qabro se ) uthege aur hum hi Sabse Pehle Jannat mai dakhil honge ,bas itni baat hai k un ( Yahood v Nasaara ko ) humse Pehle Kitaab ( Toraat ,Zaboor ,injeel ) ataa ki gayi aur hume unke baad ( Qur'an e Paak ) ataa kiya gaya ,
__Pas unhone  ( Humse Qur'an Ke Haq hone mai ) ikhtilaaf kiya , Pas Jis cheez ke Haq hone mai unhone ikhtilaaf kiya Allah Ta'ala ne ( us mai ) Hume hidayat ataa farmayi ( aur ab islaam aane ke baad WO Musalman na hone ki vajah se gumrahi mai reh kar dozakh ko jayenge ),"
              
.   .  Muslim ,255
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Sabse Pehle Ambiya Jayenge Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Ummat ,*
              
⚃➠ Hazrat Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se Rivayat karte hai'n :-
"__Jannat Tamaam Ambiya Alaihissalam per haraam hai Jab tak usme dakhil na ho jau'n ( Yani Pehle mai'n dakhil hounga fir tamaam Ambiya Alaihissalam ) aur ( Jannat ) Tamaam Ummato per haraam hai hattaki meri Ummat usme dakhil ho jaye ( uske baad ummate Jannat mai jayengi ) ,"   
  Haadi Al Ravaah ,153 Kanzul Ummaal , Majmauz Zawa'id , 
*⚃➠ Faayda_* Ye ummat baqi ummato se Pehle zameen se bahar aayegi aur A'ala muqaam per sabse Pehle Sarfaraz hogi aur sabse Pehle Ars ke saaye mai sabqat karegi ,aur sabse Pehle inka hisaab v kitaab hoga aur sabse Pehle Sifaat ko paar karegi aur sabse Pehle Jannat mai dakhil hogi, Pas Jannat Sab Ambiya Alaihissalam per haraam hai jab tak Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihivasallam usme dakhil na ho aur Sab Ummato per Haraam hai Jab tak Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Ummat usme dakhil na ho _,"
           
.    Haadi Al Ravaah ,153
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Ambiya Alaihissalam ke baad Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu Jannat mai jayenge ,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"__mere paas Jibreel Tashreef laye they aur mera haath pakad kar Jannat ka WO darwaza dikhlaya jisse meri Ummat dakhil hogi ,
__Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ne arz kiya :- Ya Rasulallah ! Mai'n pasand karta hu'n k mai'n bhi Aapke saath hota hattaki mai'n bhi us darwaze ko dekh leta ,
__Sun lo Ey Abu Bakar meri Ummat mai Sabse Pehle aap Jannat mai jayenge _,"
          
.    Musnad ,Abu Daowd , Mishkaat ,6024 Kanzul Ummaal ,32551
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu Ki Jannat mai Sabqat aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ka Mahal,*
              
⚃➠ Hazrat Buraida bin Haseeb Farmate hai'n k ek martaba Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne Subeh ke waqt Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu ko bulaya aur Farmaya :-
"__Ey Bilaal ! Tum mujhse Jannat mai kaise sabqat kar gaye ,mai'n jab bhi Jannat mai dakhil hua Apne saamne se tumhare chalne ki awaaz sunta hu'n ( Chunache ) mai'n guzishta Raat bhi ( Jannat mai ) gaya to fir Apne saamne se tumhare chalne ki awaaz suni ,
__Fir mai'n ek chokor mahal per aaya Jo Sone ka bana hua tha ,mai'ne puchha ye mahal kiska hai ?
__Unhone bataya ye ek Arabi Shakhs ka hai , Maine kaha mai'n bhi to Arabi hu'n Ye mahal kiska hai ?

__Unhone kaha Ye Quresh ke Aadmi ka hai , maine kaha mai'n bhi to Qureshi hu'n Ye mahal kiska hai ?
__Unhone kaha Ummate Muhammad Ke ek Shakhs ka hai ,Maine kaha mai'n Muhammad hu'n Ye mahal kiska hai ?
__Unhone kaha Umar bin Khattaab ka hai ,      
➠ To Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu ne arz kiya :- Ya Rasulallah ! Maine Jab bhi azaan di hai Do Raka'at adaa ki hai ,aur Jab bhi Vazu toota hai usi waqt Vazu kiya hai aur Maine tahiya kar liya hai k Allah Ta'ala ke Naam ki Do Raka'at mere zimme hai ,
__To Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya ( Ye Sabqat ) in Raka'at ki vajah se hai ,"
Musnad Ahmad ,5/354-360 ,Tirmizi ,3689
    
*⚃➠Faayda ,* is Hadees ka ye matlab nahi hai k Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se Pehle Jannat mai jayenge Balki Hazrat Bilaal Raziyallahu Anhu Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke aage aage bator Darbaan aur Khaadim ke chalenge _,"
"__ Jesa k Ek Hadees mai hai k Jab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko Roze Qayamat Roza se uthaya jayega to Hazrat Bilaal Aapke saamne azaan dete hue chalenge ,"
       
Haadi Al Ravaah ,158
.
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Sabse Pehle Jannat mai Jane Wale Group Ki Sifaat,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Sabse Pehle Jo Jama'at Jannat mai dakhil hogi unki soorte'n Chohdhvi Raat ke Chaand ki Soorat jesi hogi , Ye na to Jannat mai thookenge na Naak bahegi aur na hi usme pakhaana karenge ( Yani in teeno aybo se Paak honge )
__Unke Bartan aur Kanghiya'n Sone aur Chaandi ki hongi , Unki Angethiya'n agar ki lakdiyo'n ki hogi , Unka Paseena Kastoori ka hoga ,
__Unme se har ek ke liye Do Biviya'n esi hongi Jinki Pindli ka gooda unke Husn ki vajah se Gosht ke andar se nazar aayega ,
__Unke darmiyan Koi ikhtilaaf nahi hoga aur na aapas mai koi bugz hoga , Unke Dil ek Dil ( ki tarah ) honge ,Ye Subeh Shaam Allah Ta'ala ki tasbeeh kahenge ,
               
.   Bukhari ,3245 Muslim ,2834
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Pehle aur Doosre Darje Ke Jane wale Jannatiyo'n Ki Sifaat,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Pehla giroh Jo Jannat mai dakhil hoga unki Soorat Chohdhvi Raat Ke chaand ki tarah hogi , Aur WO log Jo inke baad ( Jannat mai ) jayenge Unki Soorat ki Chamak Damak Asmaan mai Tez Roshan Sitaare ki tarah hogi ,
__Ye jannati na peshaab karenge na pakhaana na thook na Raint ,inki Kanghiya'n sone ki hongi ,inka Paseena Kastoori ka hoga , inki Angithiya'n agar ki hogi , inki Biviya'n Hooren hongi , inke Akhlaaq ek hi Aadmi ke Khalq ( jese ) honge , inki Soorat Apne Abba Hazrat Aadam Alaihissalam ki Soorat per hogi Lambaai mai Saath haath ka qad hoga _,
 Bukhari ,3327 Musnad Ahmad , 7429        
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya:-
"___Sabse Pehle Jinko Jannat ki taraf bulaya jayega WO " Hamadoon " honge ,Jo ( Duniya mai ) khushi aur Takleef mai Allah Ta'ala ki Hamdo Sana Baja laate they _,"
Tabrani ,1/103 ,Haakim ,1/502 Kanzul Ummaal ,6410
    
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Sabse Pehle Jannat mai Dakhil Hone Wale Teen qism ke  Hazraat ,*
              
⚃➠ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__mere saamne meri Ummat ke un teen qism ke logo ko pesh kiya gaya Jo sabse Pehle Jannat mai jayenge aur un Teen qism ke logo ko pesh kiya gaya Jo sabse Pehle Dozakh mai jayenge ,
_1- Shaheed
_2- Wo mamlook gulaam Jisko Duniya ki gulaami ne uske Parwardigaar ki ibaadat se nahi roka ,
_3- Faqeer ayaaldaar dast sawal daraaz se bachne wala ,
__Aur WO Teen qism ke log Jo sabse Pehle Dozakh mai jayenge _
_1-Ameer Zabardasti se musallat hone wala
_2- Daulat mand Jo Apne maal mai se Allah ka Haq ada na kare
_3- Bad maarne wala tangdast Faqeer _,
            
.   Musnad Ahmad ,2/425 Haadi Al Ravaah, 156 Abu Naiem ,80
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Fuqra Muhajireen Ki Farishto Per Fazilat aur Jannat mai Pehle Dakhil hona,*
              
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"___Kya Tumhe maloom hai Jannat mai Sabse Pehle Kon dakhil hoga ?
Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne arz kiya :- Allah aur uske Rasool Khoob jaante hai'n ,
Farmaya :- Muhajireen mai Fuqra Hazraat Jo Garmi Sardi vagera ke mushkil Awqaat mai Shariyat ke mushkil A'amaal ko Umdgi se adaa karte hai'n ,
__unme Jab koi faut hota hai to uski zarurat uske seene mai baqi rehti hai Uske poora karne ki usme Himmat nahi hoti ,
Farishte arz karenge Ey hamare Rab ! Hum Aapke Farishte hai'n ( Aapke ) kaamo ke Muhafiz aur Zimmedaar hai'n Aapke Asmasno ke makeen hai'n Aap inko Humse Pehle Jannat mai dakhil na farmaiye ,
__Allah Ta'ala farmayenge Ye mere WO Bande hai'n Jinhone mere saath kisi ko shareek nahi kiya , aur mushkil Awqaat mai Shariyat per Amal karna nahi chhoda , Jab unme se koi faut hota tha uski haajat uske seene mai baqi rehti thi Jiske poora karne ki usme taaqat nahi thi ,
_Pas us waqt har darwaze se unke paas Farishte haazir honge ( aur ye kahenge ) Tum per Salaam ho boja Tumhare Sabr karne ke Pas Akhirat ka ghar kitna hi Achchha hai ( Jisme tumhari tamaam khwahishaat poori hongi ) ,
            
.    Musnad Ahmad, 2/168 Bizzaar ,3665 Majmauz Zawa'id ,10/259
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Gareeb Ameero se Paanch So Saal Pehle Jannat mai Jayenge ,*
              
⚃➠Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Gareeb aur Mohtaaj Musalman Daulat mand se ( Qayamat ka ) Aadha din Jo Paanch se Saal ke barabar hoga Jannat mai Pehle jayenge _,
 Ibne Kaseer ,179 Musnad Ahmad ,2/343 Ibne maaja ,4122 Tirmizi ,2353
       
⚃➠ Hazrat Umar bin Khattaab Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Maine Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam se Suna Aapne irshad farmaya :-
"__Gareeb Musalman Daulat mand se Aadha Din Jannat mai Pehle jayenge , Arz kiya gaya Ya Rasulallah Aadha din kitna hai ? Farmaya Paanch so Saal ,
Arz kiya gaya k iske saal ke kitne mahine hai'n ? Farmaya Paanch so Mahine ,
Arz kiya gaya us mahine ke Kitne Din hai'n ? Farmaya Paanch So Din ,
Arz kiya gaya fir ek Din Kitna taweel hai ?
Farmaya Paanch So Dino ke barabar Jinko tum shumaar karte ho _,"
 Tazkira Fi Ahwaalul Moti Wa Umoore Akhirah ,470
       
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Fuqra Muhajireen Qayamat Ke Din ( Jannat mai ) Daulat mando se Chalees Saal Pehle dakhil honge _,
       
Safatul Jannat ibne Kaseer ,192 Muslim ,2979 Ahmad ,2/169 Mishkaat ,5257,5235
    
*⚃➠Faayda _* Fuqra Ka Jannat mai Paanch so Saal Pehle dakhil hone ka matlab ye hai k Avval darje ke Fuqra Paanch So Saal Pehle Jannat mai dakhil honge aur Ye Hadees Jisme Chalees Saal Pehle dakhil hone ka zikr hai ye Shayad Aakhri darje ke Fuqra ke aitbaar se hai k kam darje ke Fuqra Daulat mand se Chalees Saal Pehle Jannat mai jayenge _,"
Safatul Jannat Ibne Kaseer ,193 Qurtubi ,470 Haadi Al Ravaah ,160
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Faqeer se Pichhe Reh Jane Wale Jannati Ki Haalate iztraab ,*
              
⚃➠ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Do qism ke Momin Jannat ke darwaze per milenge Ek Momin Duniya mai Faqeer hoga doosra Daulat Mand ,
__Chunache Faqeer ko Jannat mai dakhil kar diya jayega aur Daulat mand ko Jab Tak Allah Ta'ala rokna chahenge roka jayega Fir usko bhi Jannat mai dakhil kar diya jayega ,
__To jab Faqeer ki usse mulaqaat hogi to WO puchhega :- Ey Bhai !  Tumhe kis cheez ne rok liya tha ? Allah ki qasam Jab tu roka gaya to mai tere mutalliq khofzada ho gaya tha ( k Tujhe Dozakh mai to dakhil nahi kar diya gaya ) ,
__To WO batayega k Ey Bhai mai'n tere ( Jannat mai chale Jane ke ) baad dukh dard aur ghabrahat ke saath ( Jannat ke bahar ) rok liya gaya tha aur tum tak nahi pahunch saka tha aur mera Paseena itna baha k agar us per ek hazaar namkeen aur Talkh Podhe khane wale Oount Jama ho jaye to usse sair ho kar waapas jaye _,
             
.    Musnad Ahmad ,1/304 Majmauz Zawa'id ,10/263 Kanzul Ummaal ,16633 Haadi Al Ravaah ,160
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Gareeb Musalmano Ka Farishto se Jawab Sawal,*
              
⚃➠Hazrat Saied bin Al Musayb Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Ek Shakhs Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat e aqdas mai haazir hua aur arz kiya :- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Mujhe batlaiye Qayamat ke Din Allah Ta'ala ke humnasheen kon honge ?
Irshad farmaya :- Allah se darne wale aur Aajizi v inksaari karne wale Jo Allah Ta'ala ko bahut yaad karte hai'n ,
__Arz Kiya :- Ya Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Kya yahi log Jannat mai sabse Pehle dakhil honge ?
Farmaya :- Nahi ,
__Usne arz kiya :- To fir sabse Pehle logo mai se kon Jannat mai dakhil hoga ?
Irshad farmaya :- Logo mai se sabse Pehle Gareeb Musalman Jannat mai dakhil honge , Jannat se unke paas kuchh Farishte aayenge aur kahenge Tum Hisaab kitaab ki taraf chalo ,To WO kahenge hum kis cheez ka hisaab de ? Allah ki qasam Duniya mai maal Daulat se Hume kuchh bhi naseeb nahi hua Jisme hum bukhl karte ya fizool kharchiya karte ,aur na hi hum hukmraan they k insaaf karte aur zulm karte ,
Hamare paas to Allah Ta'ala ka Deen Aaya tha hum uski ibaadat mai masroof rahe yaha'n tak k maut aa gayi ,
__To unse kaha jayega Tum Jannat mai dakhil ho jao Nek Amal karne walo ke liye behtreen ajr hai_,
       
.   Jannat Ke Haseen Manazir ,249
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Gareeb Jannat Ki Ni'amato mai aur Ameer Hisaab ki Gardish mai ,*
              
⚃➠Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"_ Tum gareebo ke Haq mai Allah Ta'ala se daro , kyunki Qayamat ke Din Allah Ta'ala farmayenge Meri makhlooq mai se mere mukhlis Dost kaha'n hai'n ?
To Farishte arz karenge :- Ey hamare Parwardigaar ! WO Kon log hai'n ?
To Allah Ta'ala irshad farmayenge :- WO Fuqra Mohtaaj Jo ( Musibato aur Tangdasti mai ) Sabr karte they meri taqdeer per raazi rehte they Unko Jannat mai dakhil kar do _,
Huzoor Sallallahu Alaihivasallam farmate hai'n k Unko Jannat mai dakhil kar diya jayega WO ( Jannat mai aish se ) khaate peete honge Jabki Ameer Log Hisaab Kitaab ki gardish mai honge _,
       
.    Kitaabul Zuhad ibne Mubarak ,2/80 Tazkiratul Qurtubi, 2/469
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Fuqra Ka Sawab Jannat Hai,*
              
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"___Jab Tum Roze Qayamat mai Jama honge to kaha jayega k is Ummat ke Fuqra aur Masakeen kaha'n hai'n ?
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Ye Khade ho jayenge , unse puchha jayega k Tumne kya Amal kiya ?
_WO arz karenge Ey hamare Parwardigaar ! Hum per Aazmaish daali gayi To humne Sabr kiya aur Apne Maal v Daulat aur Saltanat doosro ko ataa ki thi ( humko nahi ) ,
To Allah Ta'ala farmayenge Tumne durust kaha ,
__Aap Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate hai'n k fir ye Log doosre logo se Pehle Jannat mai dakhil honge Jabki Maaldaar aur Sahibe Saltanat ( Hukmraano ) per hisaab Kitaab ki sakhti ba-dastoor qaa'im hogi ,
__Sahaba Kiraam  Raziyallahu Anhum ne arz kiya Us Din Momin Hazraat Kaha'n honge ?
_Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :- Unke liye Noor ki Kursiya'n bichhayi jayengi aur Un per Baadal Saaya karte honge , Momin ke liye ye roz Din ki ek ghadi se bhi bahut kam ( mehsoos ) hoga _,
             
.    Sahih ibne Hibaan ,( Al ahsaan 10/353 Hadees 7376 ) Targeeb v Tarheeb ,4/391 Majmauz Zawa'id ,10/ 337
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Sabse Pehle Jannat Ka Darwaza Khatkhatane Wale ,*
              
⚃➠Hazrat Anas bin Maalik Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Sabse Pehle Jannat ka darwaza mai Khatkhataunga , Daroga Jannat kahega Aap kon hai'n ? Mai'n kahunga mai'n Muhammad hu'n ,
__To WO kahega Aap thehre mai'n Aapke liye abhi kholta hu'n , Mai'n Aapse Pehle Kisi ke liye nahi utha aur na hi Aapke baad kisi ke liye uthunga ,"
Abu Naiem ,1/117 Fatahul Baari ,11/436
       
⚃➠ Ek aur Rivayat mai hai k mujhe Hukm diya gaya hai k mai'n Aapse Pehle ( Jannat ka darwaza ) kisi ke liye na kholu ,
 Muslim ,197 Ahmad ,3/136    
*⚃➠Faayda_* Ye Farishta Aap Sallallahu Alaihivasallam ke khaas muqaam v martaba ki vajah se Baabe Jannat per mutaiyan kiya gaya hai , Jo Aap Sallallahu Alaihivasallam ke baad aur Kisi Nabi aur Wali ke istaqbaal aur darwaza kholne ke liye nahi uthega ,Balki Jannat ke tamaam muntazim Farishte Aapke ikraam mai khade honge aur ye Farishta goya k Jannat ke baqi darogao ka baadshah hai ,Jisko Allah Ta'ala Apne Bande aur Rasool ki khidmat mai khada karenge aur ye Khud Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat mai chal kar Aap Sallallahu Alaihivasallam ka darwaza kholega _,"
            
.   Haadi Al Ravaah ,150
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Ki Shaan V Azmat,*
              
⚃➠ Hazrat ibne Abbaas Raziyallahu Anhu farmate hai'n Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke Kuchh Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Aap Sallallahu Alaihivasallam ki intezar mai beth gaye , Aap Jab Tashreef laye aur Unke qareeb pahunche to unko muzakra karte hue suna , Jab Aapne unki ye baat cheet suni to unme se ek Keh raha tha :-
Kitni Ajeeb baat hai Allah Ta'ala ka uski Makhlooq mai ek khaalis Dost bhi hai , Allah Ta'ala ne Hazrat Ibrahim Alaihissalam ko mukhlis Dost banaya hai ,Doosre Sahabi ne kaha ye baat Allah Ta'ala ke Kaleem Hazrat Moosa Alaihissalam se zyada Ajeeb nahi Allah Ta'ala ne unse kalaam farmaya ,
Ek Sahabi ne farmaya Hazrat Isaa Alaihissalam ko dekhiye WO Allah ke Kalma aur uski taraf se Rooh hai'n , Ek aur Sahabi ne farmaya Hazrat Aadam Alaihissalam WO hai'n Jinko Allah Ta'ala ne muntakhab farmaya hai ,       
⚃➠Fir Aap Sallallahu Alaihivasallam unke ( Sahaba Kiraam  ke ) paas tashreef laye Salaam kiya aur Farmaya ," Maine tumhari guftgu aur tumhara tajjub suna hai , Ibrahim Alaihissalam Allah ke Dost hai'n waqai esa hi hai , Moosa  Allah ke saath sargoshi karne wale hai'n Waqai esa hi hai , Isaa uski taraf se Rooh aur  uska Kalma ( bin baap ke Allah ke hukm se paida hue ) hai'n Waqai esa hi hai aur Aadam WO hai Jinko Allah Ta'ala ne barguzida banaya WO ese hi hai'n ,
__Sun Lo ! Mai'n Allah ka Habeeb ( Muhabb v Mehboob ) hu'n aur mai'n koi fakhr nahi kar raha , Mai'n hi Qayamat ke Din " لواءالحمد، " ko uthaunga mai'n is me bhi koi fakhr nahi kar raha,  Mai'n sabse Pehle Roze Qayamat Shafa'at karunga aur Sabse Pehle meri Shafa'at qubool ki jayegi aur mai'n ye bhi Fakhr aur Takabbur ki baat nahi kar raha
Aur mai'n hi sabse pehle Jannat ka Kunda khat khataunga Wo mere liye khola jayega aur mai'n Jannat mai dakhil hounga aur mere saath ( Jannat mai dakhil hote waqt)  Fuqra momineen ( gareeb musalman)  honge aur usme bhi mai'n fakhr nahi karta, aur mai'n aglo aur pichhlo ( sab makhlooqaat se)  zyada shaan v martaba ka maalik hu'n aur mai'n isme bhi fakhr aur takabbur nahi kar  raha, "
.    Tirmizi,  3616 Haadi Al Ravaah  ,151
*
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞Dozakh se Nikaal kar Jannat mai Dakhil Kiye Jane walo Ke halaat :- 1 Gyaarah Guna Duniya Ke barabar Jannat,*
              
⚃➠ Hazrat ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Dozakhiyo mai se us Aakhri nikalne wale ko aur Aakhir mai Ahle Jannat mai Shamil hone walo mai Us Aadmi ko Mai'n Jaanta hu'n Jo Dozakh se Sureen ke bal ghisat kar niklega , Allah Tabarak wa Ta'ala farmayenge Jaa Jannat mai dakhil ho jaa ,
__Jab WO uske paas pahunchega to uske khayal mai ye daala jayega k WO bhari hui hai ,Chunache WO laut kar arz karenga Ya Rab WO to mujhe bhari hui nazar aa rahi hai, Allah Ta'ala irshad farmayenge Jaa Jannat mai dakhil ho jaa tujhe Duniya ke barabar aur usse mazeed Das Guna  Jannat di jati hai ,
__WO arz karenga Aap Maalikul Mulk ho kar mujhse mazaaq kar rahe hai'n ( Halanki ye mazaaq nahi hoga balki haqeeqat hogi ,Hazrat Ibne Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k ) Maine Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ko dekha k Aap itna hanse k Aapki Daadhe Mubarak nazar aane lagi ,
       
⚃➠Kaha Jata tha k ye Shakhs Ahle Jannat mai sabse Kam martaba per faa'iz hoga ,   
 Bukhari ,( 11/418-419 ma Fatahul Baari ) Muslim ,308-309 Tirmizi ,2595 ibne maaja ,4339
*⚃➠Faayda ,* is Hadees se maloom hota hai k us Adna aur Akheer mai jannat mai dakhil hone wale Duniya ke Gyaarah Guna Jannat ataa ki jayegi ,
   *
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Akheer mai Jannat mai dakhil hone wale Ki Hikayaat,*
              
⚃➠ Hazrat Abdullah bin Masoud Raziyallahu Anhu farmate hai'n k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Sabse Aakhri mai Jannat mai dakhil hone wala WO Shakhs hoga Jo kabhi chalta hoga Kabhi Sureen ke bal ghisat ta hoga aur kabhi Dozakh ki aag usko jhulas deti hogi , Jab WO Dozakh se nikal jayega to usko dekh kar arz karenga Ey Baari Ta'ala Aap mujhe isse nijaat ataa farma di hai aur WO inaayat farmayi hai Jo na to aglo ko naseeb hui na pichhlo ko ,
__Fir us Aadmi ke saamne ek darakht ko zaahir kiya jayega to ye usko dekh kar arz karenga Ya Rab ! Aap mujhe is darakht  ke qareeb kar de Mai'n iske saaye mai bethna chahta hu'n aur iska paani peena chahta hu'n ,
Allah Tabarak wa Ta'ala puchhenge Ey ibne Aadam agar Mai'n tumhe ye de du to ( iske alawa ) kisi aur cheez ki talab bhi karega ? WO arz karenga mai'n iske alawa koi cheez nahi maagunga aur uska Rab uske uzr ko qubool karta rahega kyunki WO Shakhs esi cheezo ko dekhega ,Jin per WO Sabr nahi kar sakta ,
__Fir Pehle darakht se bhi zyada Haseen darakht usko saamne se dikhaya jayega to WO Shakhs karega Ya Rab ! Mujhe us darakht ke qareeb kar de taki Mai'n uska paani pi saku aur uske Saaye mai beth saku Mai'n iske alawa aur kuchh nahi maagunga , Allah Ta'ala puchhenge Ey ibne Aadam ! Tune mere saath mu'ahida nahi kiya tha k Tu mujhse iske alawa kuchh nahi maangega , Chunache Allah Ta'ala usko us darakht ke qareeb kar denge ,
__Jab WO us darakht ke qareeb pahunch jayega to Jannat walo ki Awaaze sunega aur arz karenga Ey Rab ! Mujhe Aap Jannat mai dakhil kar de ?Allah Ta'ala farmayenge tujhe ye pasand hai k mai'n tujhe Duniya aur uske barabar mazeed Jannat ataa karu ? WO arz karenga Ya Rab Aap mujhse mazaaq karte hai'n Halanki Aap Rabbul Aalameen hai'n ? Allah Ta'ala farmayenge Mai'n tumse mazaaq nahi kar raha Balki Mai'n Jo chahu iski ( karne ki ) taaqat rakhta hu'n _,"
               
 Musnad Ahmad ,1/401 Muslim ,310 Haadi Al Ravaah ,474
        ┅┅━━═۞═━━┅
*☞ Jannat mai dakhil hone wale Ek Aur Dozakhi ki Hikaayat ,*
              
⚃➠ Hazrat Anas Raziyallahu Anhu se Rivayat hai k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya :-
"__Ek Shakhs Dozakh mai ek hazaar saal tak *" Ya Hannaan ,Ya Mannaan ,"*Pukarega , Allah Ta'ala Hazrat Jibreel se farmayenge Jao mere is Bande ko mere paas le kar aao ,
__Hazrat Jibreel rawana honge aur Dozakhiyo ko ulte moonh gire hue rote hue payenge aur waapas aa kar Apne Parwardigaar ko uski ittela karenge , Allah Ta'ala farmayenge tum usko mere paas le kar aao WO fala'n jagah mai mojood hai ,
__Chunache WO usko le kar Apne Parwardigaar ke saamne pesh kar denge , Allah Ta'ala puchhenge Ey mere Bande Tumne Apne makaan aur Araam gaah ko kesa paya ? Arz karega Ya Rab  bahut bura makaan aur bahut buri Araamgaah hai ,
__Allah Ta'ala farmayenge Mere Bande ko waapas ( wahi Dozakh mai ) le jao , WO arz karenga Ya Rab jab Aapne mujhe Dozakh se nikaala tha to Mai'n iski ummeed nahi rakhta tha k Aap mujhe usme ( dobara ) daal denge , To Allah Ta'ala farmayenge k Mere Bande ko chhod do ( aur Jannat mai dakhil kar do )_,"
       
.   Musnad Ahmad ,3/230  Tazkiratul Qurtubi ,2/428
*    •┄┄┅┅━━═۞═━━┅┅┄┄•                                      
 *ʀєαd,ғσʟʟσɯ αɳd ғσʀɯαʀd*
   
        ⌈﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂﹂⌉
       ▏✍  *Haqq Ka Daayi*     ▏.    
*
      ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋
https://m.facebook.com/haqqkadaayi/  
  *Like & Share FB Page*
      ⌊﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁﹁⌋
⚵✨⚵

Post a Comment

 
Top