0


      ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄
        *Bismillahirrahmanirrahim*
      ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

         *✦   Sunnat  Tareeqa   ✦​*

✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾

*📚 Hadees :* Hazrat Thumama bin Abdullah Raziyallahu anhu se rivat hai ki Anas Raziyallahu anhu 2 ya 3 saans mein paani peete the aur kaha karte the ki Rasoolullah ﷺ teen saanson mein paani peete they.

- 📗 (Sahih Bukhari, Vol 6, 5631)

*📚 Hadees :* Hazrat Jabir bin Abdullah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki jab hum kisi bulandi par chadhte to “Allahu Akbar” kahte aur jab hum neeche ki aur jaate to “Subhanallah” kahte.

- 📗 (Sahih Bukhari, Vol 4, 2993)

   
✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾

✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾

*📚 Hadees :* Hazrat Aisha Raziy Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ taharat mein, kangha karne mein aur Juta pahnanaye mein Dahine taraf (right side) se pasand farmate the..

- 📗 (Sahih Bukhari, Vol 7, 5854)

*📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziy Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Jab tum mein se koi shaksh Juta pahne to Dahine taraf (Right side) se shuru kare aur Utare to bahine taraf (left Side) se utarey, taki Dahini janib pahanne mein awwal ho aur utarne mein aakhri ho..

- 📗 (Sahih Bukhari, Vol 7, 5855)
✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾✾

*✦ Buri aur qaabile nafrat cheez ✦​*

❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Abdullah ibn Umar Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jaaiz cheezon mein sab se ziyaada buri aur qaabile nafrat cheez Allah ke nazdeek talaaq hai..

- 📗 (Abu Daawood: 2178)

*📚 Hadees :* Hazrat Saubaan Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Nabiye Kareem ﷺ ne farmaaya: Jo aurat bagair sakht majboori ke khud talaaq maange us par jannat ki khushbu haraam hai..

- 📗 (Abu Daawood: 2226)

     
         ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*✦ Doodh Peene ke baad ki Dua ✦​*
      
          ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Abdullah ibn Abbaas Raziyallahu anhu bayaan karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jise Allah Ta'ala doodh pilaaye to woh yeh dua padhe :

               اَللَّهُمَّ بَارِكْ لَنَا فِيهِ وَزِدْنَا مِنْهُ

*[Allaahumma baarik lanaa feehi wazidnaa minhu]*

*📃 Tarjama :* Aye Allah ! Is mein hamaare liye barkat ata farma aur hamein ziyaada ata farma.

- 📗 (Tirmizi : 3455 )

     
         ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

    *✦  Khaane ke Baad Ki Dua  ✦​*

        ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Abu Saeed khudri Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ jab khaana kha kar faarig hote to yeh dua padhte:

الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنَا وَسَقَانَا وَجَعَلَنَا مُسْلِمِينَ

*Al hamdu lillaahillazi at'amanaa wa saqaanaa wa ja'alanaa muslimeen.*

*📃 Tarjama :* Tamaam ta'areefein Allah ke liye hain jis ne hamein khilaaya pilaaya aur musalmaan banaaya..

- 📗 (Tirmizi : 3457)
​*
          ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*✦ Daawat khane ke baad ki dua ✦​*

        ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Miqdaad Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ ne (Daawat ke mauqe par) yeh dua padhi:

اَللَّهُمَّ أَطْعِمْ مَنْ أَطْعَمَنِي وَاسْقِ مَنْ سَقَانِي

*Allaahumma at'im man at'amanee wasqi man Saqaanee.*

*📃 Tarjama :* Aye Allah ! Jis ne mujhe khilaaya tu us ko Khila aur jis ne mujhe pilaaya tu us ko pila..

- 📗 (Sahih Muslim : 5483)
​*
         ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*✦ Kisi ko Rukhsat karne ki Dua ✦​*

          ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Saalim farmaate hain ke hazrat Abdullah bin umar Raziyallahu anhuma jab koi aadmi safar ka iraada karta hai to us se farmaate ke mujh se qareeb ho jaao taake main aap ko is tarah rukhsat karoon jaise Rasoolullah ﷺ ham ko rukhsat farmaate the, phir yeh dua padhte :

   أَسْتَوْدِعُ اللَّهَ دِينَكَ وَأَمَانَتَكَ وَخَوَاتِيمَ عَمَلِكَ ‏

*As-taudiullaaha deenaka wa amaanataka wa khawaateema amalika.*

*📃 Tarjama :* Main aap ka deen aur aap ki amaanat aur aap ke kaamon ka anjaam Allah ke hawaale karta hoon.

- 📗 (Tirmizi : 3443)

        ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

       *✦ Jab kisi ko naya kapda*
     *pehne dekhe to yeh dua de ✦​*

         ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Abu Nazrah Raziyallahu anhu farmaate hain ke jab Sahaaba-e-kiraam Raziyallahu anhuma naya kapda pahente to un ko yeh dua di jaati :

                        تُبْلِي وَيُخْلِفُ اللهُ ‏

        *Tublee wa yukhlifullaah.*

*📃 Tarjama :* Tum pehno aur puraana karo, Allah tumhein aur de.

- 📗 (Abu Dawood : 4020)
​*
          ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

       *✦ Aa'ina dekhne ki Dua ✦​*

         ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Abdullah Bin Masood Raziyallahu anhu farmaate hain ke Rasoolullah ﷺ farmaate the :

          اللَّهُمَّ حَسَّنْتَ خَلْقِي فَحَسِّنْ خُلُقِي

*Allaahumma hassanta khalqee fahassin khuluqee.*

*📃 Tarjama :* Aye Allah ! Tu ne meri soorat achchhi banaai hai, pas tu meri seerat bhi achchi bana de.

  - 📗 (Ibn-e-Hibban: 989)

        ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*✦Sawaari pr sawaar honeki dua✦​*

         ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Abdullah Bin Umar Raziyallahu anhuma se marwi hai ke Nabi-e-Kareem ﷺ jab safar par jaate aur apni sawaari par sawaar hote to teen martaba *"Allaahu Akbar"* kehte phir padhte :

             سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَذَا وَمَا كُنَّا
              لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَى رَبِّنَا لَمُنْقَلِبُونَ
 
*Subhaanal lazee sakhkhara laanaa haazaa wamaa kunnaa lahoo muqrineena wa innaa ilaa rabbinaa lamunqaliboon.*

*📃 Tarjama :* Paak hai woh zaat, jis ne is sawaari ko hamaare qabze mein de diya, warna ham isko apne qaabu mein karne waale na the aur bila shuba ham ko hamaare Rab ki taraf laut kar jaana hai.

  - 📗 (Muslim, 3339, 3113)
​*
      ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*Ghar se Nikalte Waqt ki Dua ✦​*

       ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Anas Bin Maalik Raziyallahu anhu se riwaayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab koi aadmi apne ghar se nikalte waqt (yeh alfaaz) kahe:

بِسْمِ اللهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللهِ لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللهِ

*Bismillahi tawakkaltu alallaahi laahaula walaa quwwata illaa billaah*

to us se kaha jaata hai tujhe poori rehnumaai mil gai, tere kaam bana diye gaye, teri hifaazat ka faisla hogaya. Aur shaitaan maayoos wa naamuraad ho kar us se door hojaata hai to doosra shaitaan kehta hai, tu is shakhs par kaise qaabu pa sakta hai jise rehnumaai mil gai ho, jis ke kaam bana diye gaye hon aur jis ki hifaazat ki gai ho.

*📃 Tarjama :* Main Allah ke naam se nikalta hoon, main ne Allah par bharosa kiya, gunaahon se bachne ki taaqat aur nek kaam karne ki quwwat Allah ta'ala hi ki taraf se hai.

- 📗 (Abu Dawood: 5095)

    
        ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*✦ Ghar mein daakhil hone ki Dua ✦​*

         ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Abu Maalik Ash'ari Raziyallahu anhu se marwi hai ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jab aadmi apne ghar mein daakhil ho to yeh dua padhe:

اَللّٰهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ خَيْرَ الْمَوْلَجِ وَخَيْرَ الْمَخْرَجِ بِسْمِ اللهِ وَلَجْنَا وَبِسْمِ اللهِ خَرَجْنَا وَعَلَى اللهِ رَبِّنَا تَوَكَّلْنَا
‌‌‌
*Allaahumma inni as-aluka Khairal maulaji wa khairal Makhraji bismillaahi walajnaa Wa bismillaahi kharajnaa Wa'alallaahi rabbinaa tawakkalnaa*

Phir use chaahiye ke apne ghar waalon ko salaam kare.

*📃 Tarjama :* Aye Allah ! Main aap se andar jaane aur baahar nikalne ki bhalaai ka Sawaal karta hoon, ham Allah Ta'ala hi ke naam se daakhil Hote hain aur Allah Ta'ala hi ke naam se baahar nikalte hain, aur ham ne apne Rab Allah hi Par bharosa kiya.

- 📗 (Abu Dawood: 5096)

       
           ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

  *✦ Achche Suluq ka Haqdar ✦​*

            ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu Anhu se rivayat hai ki Ek sahabi Rasoolullah ﷺ ki khidmat mein hazir huye aur arz kiya ki Ya Rasoolallah ﷺ mere achche suluq ka sabse ziyada haqdar kaun hai ? farmaya ki tumhari Maa, pucha ki iskey baad kaun hai ? farmaya tumhari Maa, unhoney phir pucha iskey baad kaun hai ? Aap ﷺ ne phir farmaya tumhari Maa, unhoney pucha ki iskey baad kaun hai Aap ﷺ ne farmaya tumharey walid (father).

- 📗 (Sahih Bukhari : 5971)   

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄  

  *Log jahilon ko sardar bana lenge*
       
          ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Abdullah bin 'Amr bin Al' As Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya Allah Ilm ko is tarah se nahi utha lega ki iskey bando se cheen lega balki wo Aalimo ko maut dekar Ilm ko utha lega phir jab koi Aalim baqi nahi rahega to log jahilon ko sardar bana lengey unsey sawalat kiye jayengey aur wo bagair Ilm ke jawab dengey isliye khud bhi gumraah hongey aur logo ko bhi gumraah karengey.

- 📗 (Sahih Bukhari : 100) 

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

  *Logon ka Maal Karz ke taur par*

        ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu anhu se rivayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne farmaya jo logon ka Maal Karz ke taur par ada karney ke niyat se leta hai to Allah Taala bhi uski taraf se ada karega aur jo koi tabah karney ki (yani Na dene ki) niyat se le to Allah Taala bhi usko Tabah kar dega.

- 📗 (Sahih Bukhari : 2387)
*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

    *Izaar latkaane waalon ki saza*
         ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Jo shakhs apna kapda fakhr ke taur par ghaseet kar chalega, to Qayaamat ke din Allah Ta'ala us ki taraf (rahmat ki) nazar nahin farmaayeinge.

- 📗 [Bukhaari: 3665]

*📚 Hadees :* Huzoor ﷺ ka irshaad hai ke momin ka izaar nisf saaq (aadhi pindli) tak hona chaahiye aur takhnon ke darmiyaan ho, to yeh bhi jaaiz hai aur jo is se neeche ho, to woh Jahannam mein hai. Aap ﷺ ne yeh baat 3 martaba farmaai.

- 📗 [Abu Daawood: 4093]

  *
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

    *Jis Shakhs ne Nikaah kar liya*
        ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ka irshaad hai: Jis shakhs ne nikaah kar liya, us ne apna aadha Deen mukammal kar liya, ab use chaahiye ke baqiya aadhe Deen ke baare mein Allah Ta'ala se darta rahe.

- 📗 [Shoabul Imaan: 5486]
*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

     *Khana Khilao Aur Salam karo*
          ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Abdullah bin Amr RaziyAllahu anhu se rivayat hai ki Ek shaksh ne Rasoolullah ﷺ se pucha islam mein kaunsi halat (ya baat) afzal hai Rasoolullah ﷺ ne farmaya khana khilao aur salam karo use jise tum pahchante ho use bhi aur jise tum nahi pahchante ho use bhi.

- 📗 [Sahih Bukhari : 6236]

       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

    *✦​​ Ek harf ke badle Ek Neki ✦​​*
          ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Hazrat Abdullah bin Masood RaziyAllahu anhu riwaayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs Allah Ta‘ala ki kitaab ka ek harf padhe us ke liye ek harf ke badle ek neki hai. Aur ek neki ka ajr das neki ke baraabar milta hai. Main yeh nahin kehta ke saara "Alif Laam Meem" ek harf hai, balke alif ek harf hai, laam ek harf hai aur meem ek harf hai (Yaani teen huroof huwe is par tees nekiyaan mileingi).

  - 📗 [Tirmizi : 2910]
*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

  *​​Ehsaan krne walo ko ye dua de​​*

         ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Aap ﷺ farmaaya ke jis aadmi par kisi ne koi ehsaan kiya aur us ne ehsaan karne waalon ko yeh dua di:
                         جَزَاكَ اللهُ خَيْرًا

"Jazaakallaahu khairaa" (yaani Allah Ta'ala aap ko is ka behtar badla ata farmaaye), to us ne us shakhs ki poori taareef kar di.

  - 📗 [Tirmizi : 2035]

     
     ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

     *✦   Sone se pehle ki Dua *

            ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

                           اَللَّهُمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا

        "Allaahumma bismika
           Amootu wa ahyaa"

📃Tarjama: Aye Allah ! Mein
       tere hi naam se marta
        hoon Aur Jeeta hoon.

          📖 (Bukhari:6314)
*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

           *✦ ​​​​​​ Asmaa-e-Husna  ✦​​​*

            ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*❤ Al Quraan :* Allah Ta'ala ke achchhe achchhe naam hain tum in naamon se use pukaaro.

- 📖 [Sura-e-A’araaf: 180]

*📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaaya : Be shak Allah Ta'ala ke ninaanve naam hain, jo Allah Ta'ala ke in naamon ko yaad karega, Jannat mein daakhil hoga.

- 📗 [Sahih Muslim: 6986]

  *
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

            *✦​ ​​​​ Dua-o-Sunnat  ✦​*

            ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Allah Ta'ala ke yahaan sab se ziyaada pasandeeda amal dua hai.

- 📗 [Mustadrak: 1801]

*📚 Hadees :* Allah ke Rasool ﷺ ne farmaaya: Jis ne meri Ummat mein bigaad ke waqt meri sunnat ko mazbooti se pakda, to us ke liye Shaheed ka sawaab hai.

- 📗 [Mu'ajam-e-Kabeer: 1320]

        ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

       *🌙 Sone se pehle ki Dua 🌙*

                            اَللَّهُمَّ بِاسْمِكَ أَمُوتُ وَأَحْيَا

        "Allaahumma bismika
           Amootu wa ahyaa"

📃Tarjama: Aye Allah ! Mein
       tere hi naam se marta
        hoon Aur Jeeta hoon.

          (Bukhari:6314)
*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *Dikhawe ke liye Sone ka Zewar*

           ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Huzoor ﷺ ne farmaaya ke aye Aurto! Kya chaandi ke zewar se tumhaari tumhaari zeenat ka kaam nahin chal sakta. Khabardaar! Tum mein se jo aurat dikhaawe ke liye sone ka zewar pahenegi us ki wajah se zaroor us ko azaab diya jaayega.

- 📗 [Abu Dawood: 4237]

*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

     *✦ Maut ke baad ka afsos ✦*

            ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: Har shakhs maut ke baad afsos karega, Sahaaba Raziyallahu anhuma ne arz kiya: Ya Rasoolullah! Kis baat ka afsos karega? Aap ﷺ ne farmaaya: Agar nek hai, to ziyaada neki na karne ka afsos karega aur agar gunhagaar hai to gunaah se na rukne par afsos karega..

  - 📗 [Tirmizi : 2403]

​*
        ┄─━━━━◇━━━━─┄

*➠ ​Kuffaar ke Mazhabi tehwaaron mein shirkat*

​☞ Kuffaar ke mazhabi tehwaar mushrikaana aqeedon se bhare hote hain jaise Ganesh Chaturthi, Dasehra, Murti Pooja, Holi, Diwali aur *Christmas* wagaira in mein shirkat karna haraam hai, kuffaar ke mazhabi tehwaaron mein shareek hone ki chand soortein yeh hain:

(1) In tehwaaron ka manaana.
(2) Tehwaar manaane mein un ke saath shareek hona.
(3) Mazhabi tehwaaron mein un ki madad karna.
(4) Mazhabi tehwaaron mein tohfa ya Chanda wagaira dena.
(5) Mazhabi tehwaaron ki khushi mein apne ghar ke liye cheezein khareedna aur khaane pakaane ka ehtemaam karna.
(6) Mazhabi juloos mein shareek hona.

​☞ Agar koi musalmaan in mein se kisi bhi baat ko achchha jaan kar karega, to us ka imaan jaata rahega aur agar gunah jaan kar karega, to sakht gunahgaar hoga.

​☞ Ham tamaam musalmaan kuffaar ke mazhabi tehwaaron ko na manaate hain aur na un mein shareek hote hain.

📚[Sunane Kubra Baihaqi: 19333 ; Al-Bahrur Raaiq: 5/133 ; Al-Irshaad Ila Saheehil Eteqaad: 1/290]

   ✍🏻 Ref: Deeniyat Course book
  *
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

      *Pyare Nabiki Sunnatein*

           ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne Irshad farmaya Jis ne meri Sunnat zinda ki us ne mujhse muhabbat ki aur jis ne mujhse muhabbat ki woh (Jannat mein) mere saath hoga.

  - 📗 [Tirmizi : 2678]
*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

         *✦​ Yateem Ka Ikraam ✦​*

             ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Jab koi shakhs sirf Allah ki khushnudi ke liye yateem ke sar par hath pheirta hai, To Allah Ta'ala har baal ke badley me neikiyaan ataa farmatey hai, Aur jo yateem ke sath achchha bartaa'o karega mai aur wo jannat me do ungliyon ki tarah hongey, Rasoolullah ﷺ ne shahaadat aur bich ki ungliyon ko pheila kar bataya.

- 📗 [Musnad e Ahmad: 21649]
*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

       *✦​  Azaan Aur Pehli Saf​  ✦​*

           ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Agar logon ko maalum ho jaey ke azaan deney me aur saf e awwal (pehli saf me namaaz padhney) me kitna sawaab hai to wo saf e awwal aur azaan deney ke liye talwaaron se muqabla kar ke aagey badhney ke liye koshish karney lagey.

  - 📗 [Sahih Bukhaari: 615]
*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

   *✦​ Apne Gusse ko pi jaya Kro​ ✦​*
             ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*♥Al Qur'an:* Woh log jo gusse ko pi jaane waale hain; aur jo logon ko maaf karne ke aadi hain. Aur Allah Ta'ala nek logon ko pasand farmaate hain.
- 📖 (Sura-e-Aale Imran: 134)

*📚Hadees:* Rasoolullah ﷺ ne farmaaya Jo shakhs gussa us waqt pee jaaye jab ke woh apna gussa nikaalne ki taaqat rakhta ho, to Allah Ta'ala Qayamat ke din tamaam logon ke saamne use bulaayenge aur usey is baat ka ikhtiyaar denge ke jis hoor ko chaahe pasand karle.
- 📗 (Abu Dawood: 4777)

  *​ Download App*​​ goo.gl/SB46QM
*
       ┄─═✧═✧═✧═✧═─┄

      *✦​ Jannat Aur Jahannam ✦​*
            ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

*📚 Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Jab tum mein se koi wafaat paa jata hai to usko subah wa shaam uska thikana dikhaya jata hai, Agar jannati ho to jannat walon ka aur agar jahannami ho to jahannam walon ka thikana dikhaya jata hai, Phir kaha jata hai ye tera thikana hai yahan tak ke Allah Ta'ala Qayamat ke din tujhey dubaarah uthaey.

  - 📗 (Sahih Bukhaari: 1379)


           ❁〰〰〰〰〰〰〰〰〰❁

Post a Comment

 
Top