▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
*вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
*PART-326*
*вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*TABLIG⚵ RAAHE⚵ NIJAAT⚵ HAi*
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
*PART-326*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Sathiyo'n Ka ikraam*_
↬• Jo Apne Saathiyo se be ikraami ya bad khalqi se pesh aaye to ye doosro ka kitna hi ikraam kare ,ikraam uski sift nahi banegi aur ek Rasm hi samjha jayega ,
★• Apne Saathiyo ke ikraam mai apne ghar walo aur Rishtedaro ka ikraam bhi hai ,uske baad Khwaas ,Kuffar ka bhi ikraam hai ,
★• Jab Adi bin Haatim Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam ke Paas islam lane se pehle Haazir hue to Aap Sallallahu Alayhivasallam ne Apni Chaadar Paak unke liye bichha Dï ,aur Apne Sahaba Raziyallahu Anhum se Khitaab kar ke farmaya ,
" Jab Tumhare Paas kisi Qaum ka Sardaar aaye to uska ikraam karo ,,
" Jab Tumhare Paas kisi Qaum ka Sardaar aaye to uska ikraam karo ,,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *327 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-327*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-327*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*ikraam ke Aham Usool*_
↬• Ikraam mai Chaar Cheezo ka Usooli tareeqe se lihaaz rakhna zaroori hai,, Baqi Cheeze unhi ka hissa Hai'n,
★• 1- Aziyat per Sabr ,
2- Apna Maal un per Kharch karna ,
3- Har ek ke Saath Muskurate hue Milna ,
4- Aur Maamlaat mai Narmi karna ,
2- Apna Maal un per Kharch karna ,
3- Har ek ke Saath Muskurate hue Milna ,
4- Aur Maamlaat mai Narmi karna ,
★• Agar in Cheezo Kï mashq karte hue Hum ikraam seekhenge Aur Allah Ta'ala se Dil ke Saath maangenge to in Sha Allah Ye Sift Haasil hogi,
★ • Sabse ounche darjaat ikraam karne walo ke Hai'n aur Sabse badi jaazbiyat ikraam karne walo mai hai ,Dushman bhi Zair ho jate Hai'n, Paraye bhi Apne ban Jate Hai'n,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *328 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-328*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-328*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Husool e ilm mai Sahaba Raziyallahu Anhum Kï Tarteeb*_
↬• ilm ka number bhi isme badi Ahmiyat rakhta hai, Ummat ko agar Tareeqa e Nabvi Sallallahu Alayhivasallam ilm ke seekhne Sikhlaane ka maloom ho jaye to So fisadi Ummat mai ilm Zinda ho jaye ,aur is Dawat mai is Tareeqe ko Zinda karna hai,
★• Hamare Zamane ka Tareeqa Khwaas ke Liye hai ,Awaam ke Liye nahi hai ,isliye ek Tabqa ilm ke buland martabo ko pahunch raha hai k Quran ke haqaa'iq aur Waqaa'iq Bayan karta hai aur Doosra Tabqa Kalme se bhi na waaqif hai aur fara'iz ko bhi nahi jaanta aur aham Aqaa'id Kï bhi khabar nahi ,
★• Agar ilm ka Wo Tareeqa Zinda ho jaye Jis per Sahaba Kiraam ne ilm liya to Dono tabqo mai ifaada aur istfaada ka talluq bhi qaayam ho jayega aur har Aadmi ke andar ba-qadre Zarurat ilm bhi aa jayega ,
★ • Chunki zamane ka rivaaj ilm ke bare mai aur uska naqsha dimaag mai doosra ban gaya hai isliye Tableeg walo per Aitraaz ye he k ye ilm Kï taraf ragbat nahi karte aur na logo ko ragbat dilate Hai'n,
★. Doosre Awamun naas ko Jinko Kalma aur Namaz tak ke seekhne Kï Zarurat hai ,Aqaaid jaanne Kï Zarurat hai, Halaal Haraam pehchanne Kï Zarurat hai, Maamlaat ke ilm Kï Zarurat hai, Unko Quran v Hadees ke Wo haqaa'iq aur waqaa'iq Sunaye ja rahe Hai'n Jo unke liye bager pehli Cheezo ke Sahi hue zyada faayda nahi rakhte , Jis Cheez Kï Pehli Zarurat hai uska ilm muqaddam hai ,
★• Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh.ilm Kï nafi nahi farmate the magar ek Tarteeb batlana chahte the taki har Shakhs apni Zarurat ka ilm lane wala ban Jaye aur Wo ilm uski Zarurat ko poora kar de ,Mahaz tafreeh Talab na bane ,Huzoor Akram Sallallahu Alayhivasallam ke Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum Jo Tareeqa e ilm rakhte the usse ilm zyada aam ho sakta hai, baqi tareeqe mufeed zaroori hai magar us darje per nahi aur Unki umoomiyat bhi kam hai,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *329 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-329*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-329*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Zikrullaah Mai Sahaba Ikraam Kï Tarteeb*_
↬• ESE hi Zikr ka number bahut aham hai aur ye bhi So fisadi Ummat mai usi tareeqe se aam ho sakta hai Jo Tareeqa Nabvi Sallallahu Alayhivasallam tha ,Jis per tamaam Sahaba Raziyallahu Anhum apne Karobaar ,Bivi Bachcho, Mashagil mai Allah ka Zikr karne wale bane ,
★• Unki Kasrate Zikr Kï Jo shakl us zamane mai thi Wo Tamaam apni zarurato mai chalte aur mashgooli mai lage hue jaari thi ,Chunki iska naqsha is zamane me baqi nahi raha isliye doosri Shakle esi vajood mai aayi Jo badi faragat ko chahti Hai'n, isme bhi Bada faayda hai lekin umoom kam hai aur har Shakhs nahi chal Sakta,
★• Hazrat Maulana Ilyaas Sahab Reh. Usi Tareeqa e Nabvi Sallallahu Alayhivasallam ke Zikr ko zinda karna chahte the taki poori Ummat mai Zikr ullaah ka rivaaj pad jaye aur Wo ilme deen ke saath bhi aur Duniyavi uloom ke saath bhi aur Apne tamaam mashgalo ke saath bhi chalta rahe ,
★ • isse ilm aur Zikr dono ke tabqo mai ulfat v Muhabbat aur ifaada v istfaada Kï raah qaayam ho jayegi ,Kyuki har Musalman dono Sifto ka Sakht mohtaaj hai,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *330 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-330*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-330*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Tamaam Amaal Kï Pabandi Zaroori Hai*_
↬• Asal to Shuru ke Do hi number Hai'n- Kalma aur Namaz ,Baqi tamaam cheeze inhi mai Sahat aur Haqeeqat Paida karne ke Liye Hai'n aur inhi ko failaane ke Liye Hai'n,
★• Sahi Dawat per chalne wala Wo hoga Jo in Saari baato ka lihaaz rakhte hue Ummat ke saath Jud kar chale aur Ummat ko Jodte hue chale aur Uska maqsad na apni Duniya banana ho na izzat v Shohrat ho ,balki Allah Ta'ala hi ke Kalme ko Buland karna aur Kufr ko Khatm karna ho ,
★• Apni Saari haisiyato ko iske liye Qurban kare ,lekin isme bhi bahut Bada khatra pesh aa jata hai k Apni Qurbaniya'n qabile Tareef v madah nazar aane lagti hai ,aur doosro se ikraam Talab ka mutaalib ban jata hai,
★ • Halanki isme ikraam Talab karna nahi balki doosro ka ikraam karna Seekhna hai ,
★. Agar saathi ikraam na kare to Dil mai khayal na aaye k mera ikraam nahi kiya aur iski vajah se Naam mai Susti na aaye varna Shaitaan is baat per le jayega k Saara kiya karaya Zaay ho jayega ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *328 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-331*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-331*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Hubbe Jaah Se Bacha Jaye*_
↬• Kabhi Dil me ye khayal na aaye k mene Apni Umar Dawat Kï qurbaniyo'n me aur Dawat ke Taqazo per laga di,idhar fir bhi meri Qadar nahi kar rahe balki Aitraaf e qasoor badta rahe k " Haay !Maine kuchh nahi kiya aur maloom nahi k Qayamat me mere saath kya maamla hoga aur meri ye Mehnat qubool bhi hogi ya raayga ?
★• Sahaba ikraam Rizwanullah Anhum bavjood apni sahi qurbaniyo'n ke apne andar nifaaq ka Khof rakhte the,
★• Jab tak ye Sift hamare andar paida na ho jaye us waqt tak Sirf alfaaz hi alfaaz Hai'n Haqeeqat nahi ,aur imtehaan ke moqe per Aadmi alfaaz bhool jata hai aur Dil Kï Haqeeqat saamne aa jati hai aur esa Haal ho jata hai k Tote ( parrot ) ko Saalo Kalma padhaya ,Wo har waqt aane walo ke saamne bolta raha lekin Jab Billi ne dabocha to Kalma zabaan se nikalne Kï bajaye " Taay Taay " nikalne lagi ,
★ • isliye har cheez Kï Haqeeqat ka dhyan rakhna hai ,Abhi hamara ye Lafz aur Kalma k Allah hi se hota Hai, Gair se kuchh nahi hota ,Tote ka padhana hai ,Mehnat isko apne Dil mai utaarne Kï karni hai ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *332 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-332*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Gasht Ke Adaab v Ahmiyat*_
↬• is kaam me Gasht Reed Kï Haddi hai ,Ye tamaam Ambiya Kiraam Alaihissalam Kï Nisbat hai ,Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam Makka Mukarrama mai ,Taa'if mai ,Mausame Hajj ke moqe per ,Meena mai Gasht hi farmaya karte the,
★• Kabhi Tanha ,Kabhi Hazrat Abbaas Raziyallahu Anhu ke saath Halanki Wo abhi Musalman nahi hue the,Kabhi Hazrat Abu Bakar Siddiq Raziyallahu Anhu ke saath ,Kabhi Zaid bin Haris Raziyallahu Anhu ke saath Goya k infiraadi aur ijtimaayi dono Tareeqe se Gasht farmaya , Surah Yaseen mai Teen Aadmiyo ka Dawat dene ke Liye Jana mazkoor hai , Hazrat Moosa Alaihissalam apne Bhai hazrat Haroon Alaihissalam ke saath Dawat dene chale ,Ye bhi mazkoor hai,
★• Aaj Gasht Kï ahmiyat nikal gayi aur Wo chhoot gaya ,Sirf masjido ka Vaaz o takreer baqi reh gaya, Wo bhi ganimat hai lekin Gasht kar ke laane per Jo Baat Kï taseer hai Wo bager Gasht ke nahi ,
★ • Har ek mugaalte me pad gaya aur Yu samajh liya k Ummat itna imaan rakhti hai k hamare Halaal v Haraam ,fara'iz v waajibaat ,Huqooq v Maamlaat ke Bayan sun kar Amal per aa jayegi ,
★. Halanki imaan is Qadar kamzor ho gaya k Sun kar Amal per aana mushkil hai ,Yahi vajah hai k Kasrate Vaaz v Takreer aur Tehreer ke Ummat girti chali ja rahi hai, Taraqqi pazeer nahi ,Bad Amali Kï taraf ja rahi, Amaal Kï taraf nahi badh rahi hai,
★• isliye is Khayal ko Dil me Jama kar k imaan kamzor ho chuka he, Mojooda imaan se aana dushwaar ho gaya ,Pehle ese imaan Kï Zarurat hai ,Jo khwahishat ke khilaaf Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam Kï taraf kheench le , isliye Gasht Kï bahut Zarurat hai,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *333 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-333*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-333*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Gasht Ke Adaab v Ahmiyat - 2 ( Pichhle Part se Aage)*_
↬• Gasht mai Apne liye zillat Kï mashq hai aur is Sabaq ko Seekhna aur mashq karni hai ,Doosre ikhlaas Kï Maahq hai ,Teesre Basirat Haasil karne Kï mashq hai ,Chothe Ummat ka Dard aur Gam Haasil hota hai aur Sunnate Ambiya hona to Sabse Badi cheez hai ,
★• Aur Jis qadar Jaddo Jahad isme pesh aati hai aur Kisi Amal per pesh nahi aati aur Jis Qadar Sabr v Tahammul Kï Sifaat isme Haasil hoti hai aur Kisi Amal mai nahi hoti , Agar ye zinda ho jaye to poora Deen zinda ho jayega ,
★• Maulana ilyaas Sahab Reh. Ka ek malfooz hai k Hum is kaam se 2 baate chahte Hai'n ,
*_1- Avval ye k Poori Ummat Jama'ate ban ban kar Gaanv Gaanv ,Shahar Shahar ,Mulk Mulk ,Aqleem Aqleem Huzoore Paak Sallallahu Alayhivasallam Kï Cheezo ko le kar firne Kï Sunnat ko zinda kar ke paaydaar kar de ,
*_ 2- Aur doosri cheez ye k Har Musalman ka Dili Jazba ye ban jaye k mera Kaam is Duniya mai Allah ke Raaste mai Jaan dene ke Siva aur Kuchh nahi ,
★ • Aur Sahi Usoolo ,Sahi niyat aur Sahi Jazbe ke saath Gasht kiya jaye to insaano me Deen is tarah failta chala jaye jese baarish ke zariye zameen per Sabza ,Galle ,Fal Fool khilte chale jate Hai'n,
★. Aur ye Gasht tamaam Kaamo ke saath, Mashgooliyo ke saath chahe Deeni ho ya Duniyavi ,Ahlo ayaal rakhte hue har Shakhs kar sakta he Jese Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum karte the ,Agar ye Gasht zinda ho jaye to Deen zinda ho jayega ,Apne andar bhi aur Doosro ke andar bhi ,
★• Tarke layani zaroori hai varna isse Deen Kï Ronaq jati hai aur Ye bhi bahut Dushwaar ban jata hai, Allah Ta'ala Hume Tofeeq ataa farmaye aur Hamare liye asaani farmaye , ( Aameen)
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *334 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-334*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Daayi Kï 8 Sifaat*_
↬• Daayi mai Ye Aath Sifaate Hona chahiye ,,,
★• 1-Ummat ke saath Muhabbat ka hona ,
★• 2- Apni islaah Kï Niyat se Dawat dena ,
★ • 3- Jaan v Maal v Waqt Kï Qurbani ka Jazba hona ,
★. 4- Takabbur aur Badaai Kï bajaye Aajizi v inksaari ka hona ,
★• 5- Kaamyabi Milne per Allah Kï madad samajhna ,
★• 6- Logo ke na maanne per Na- Ummeed na hona ,
★• 7- Logo ke Takleef dene per Sabr karna ,
★• 8- Har nek Amal ke Aakhir mai istigfaar karte rehna ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *335 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-335*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-335*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*isteqamat Ke 17 Asbaab -( 1se 10 )*_
↬• Dawat mai isteqamat Ke 17 Asbaab Hazrat Maulana Saieyd Ahmad Khan Sahab ne Tehreer farmaye ,:----
★• 1- Jo is Kaam ko Dil ke saath Karega Wo Jamega ,
★• 2- Jo Rozana Dawat dega uske jazbaat bante rahenge ,Jo Dawat nahi dega uske Jazbaat toot te rahenge ,
★ • 3- Jo maahol mai rahega Wo Jamega ,Jo Maahol se katega Wo Dawat se kat jayega ,
★. 4- Jo is kaam mai Rukhna Daalega Wo katega ,
★• 5- Ameer Kï itaa'at aur Mashwaro ka paaband rehne wala Jamega ,
★• 6- Jo Kisi ke Aib dekhega wo is kaam se katega ,Jo Achchhaiyo ko dekhega Wo jamega ,
★• 7- Jo Tawazo akhtyar karega Wo Jamega ,Jo Takabbur ke saath chalega Wo nahi jam sakta ,
★• 8- Baaz Gunaah ESE hote Hai'n Jinki vajah se Kaam se mehroom ho jata hai,--
*_ Geebat ,Agraaz ,Tanqeed ,Bad- nazri ,Shehwat ,,,,,
★• 9- Jo mazahib tavajjah istigfaar karta rahega Wo Jamega ,
★• 10- Jo Doosro Kï Galtiyo'n ko Apne ouper lega Wo Jamega ,Jo Apni galti doosro per daalega Wo nahi jam sakta,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *336 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-336*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-336*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*isteqamat Ke 17 Asbaab -( 11se 17 )*_
↬• Dawat mai isteqamat Ke 17 Asbaab Hazrat Maulana Saieyd Ahmad Khan Sahab ne Tehreer farmaye ,:----
★• 11- ,Jo Huzoor Sallallahu Alayhivasallam ke saath Munaafqat karega Nafa nahi utha sakega ,hatta k imaan bhi Naseeb na hoga ,
★• 12- Jo Doosro Kï Galat baat Kï taaveel kar ke Achchhe Ma'ani matlab Kï taraf le jayega Wo jamega ,Jo har baat ka ulta matlab lega Wo nahi jamega ,
★ • 13-Jo Aadmi Allah Ta'ala se darte hue aur maangte hue chalega Wo Jamega ,Jamne ko maangna padega varna hil jayega ,
*_ Huzoor Sallallahu Alayhivasallam bhi , isteqamat Kï Dua maangte the ,Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne bhi Dua maangi ," Ey Allah ! Mujhe But Parasto Kï But Parasti se bacha ," Halanki unse But Parasti ka imkaan bhi na tha ,Unhone maanga to hum kya cheez Hai'n,
★. 14- Jo ikhlaas se Qurbani dega ,Allah Ta'ala use har haalat me jamayega ,Ese moqo per jab logo ke qadam ukhad rahe honge ,Allah Ta'ala a'ala darje Kï Raza Naseeb farmayega ,
★• 15- Jo Ye kahega k meri vajah se Kaam ho raha hai, Wo Mehroom ho jayega ,Jiske mutalliq log ye samjhenge k iski vajah se kaam ho raha hai, Allah Ta'ala use uthaa lenge ,
★• 16- Hazrat Ji Reh. Farmaya karte the Jo naqal per ukhdega Wo Asal per kese jamega ,Hum to naqal karne wale Hai'n ,
★• 17- Jo Poori Ummat ke Gam le kar chalega Uske Dil Kï kaifiyat ko Allah poore Aalam per daalenge ,
*_Saaf si Baat hai k Koi bhi kaam Sahi Usoolo ke mutabiq karne per hi Sahi nateeja deta hai, Tableegi kaam ke Usool Jaanne Ke Liye hamare paas isse behtar koi Zariya nahi k Baani e Jama'at Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh ke qareebi logo se kaam ke Usool seekhe ,*
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *337 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-337*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-337*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈… *Sifaat v Kamalaat aur khususi imtiyaz*
↬• Hazrat Khwaja Nizamuddin Avliya Reh. Ko Jab unke Sekh v murshid Hazrat Khwaja Fariduddin Ganj Shakar Reh. ne khilafat ata farmayi to Zabane Mubarak se ye alfaz bhi irshad farmaye the ,
★• " Allah Ta'ala ne tumko ilm v aqal v ishq Kï daulat ata ki he aur Jo in Sifaat ka jaam'a ho Wo Masha'ikh Kï khilafat Kï zimmedariya'n khoob ada kar sakta he ,Tum ek Saaya daar darakht honge jiske saaye me Allah Kï Makhlooq Araam payegi ,istedaad Kï taraqqi ke liye mujahida karte rehna ,"
★• Dar Haqeeqat Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh. Ka bhi yahi haal tha ,Khuda ne Aapko ilm v aqal Kï Daulat bhi ata farmayi thi aur ishq ,dardo soz Kï niyamat se bhi nawaza tha ,
★ • Maulana Sayyad Abul Hasan Madni Khud apne tassuraat ka izhaar karte he'n ,__
"...... imaan bil gaib ki taaqat, Dawat ke shagaf aur inhimaak aur taseer Kï wus'ate quwat Maine us daur me Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh. Ka koi hamsar aur muqabil nahi dekha ,Yu'n to unki Shakhsiyat me bahut se ese Kamalaat paye jate the Jinme unka paaya bahut buland tha ,Unki imaani quwat v Jurraat ,Unki Namaz v Dua ,Sahaba Kiraam Kï Zindgi se unki gehri waqfiyat aur unke halaat ka istehzar ,itteba e Sunnat ka ahatmam, Fahame Qur'an aur waqyaate AMBIYA Alaihissalam se Azeem nataa'iz ka istakhraaj ,Dawat v Tasneef ke mutzaad v mashagil ko Jama karne Kï quwat aur Akhir me unki gair mamooli maqbuliyat v Mehboobiyat ,
*_Ye sab unki Zindgi ke Wo pehlu aur numaya Sifaat hai'n Jinke mutalliq bahut kuchh likha ja sakta he, Aur jiske lafz lafz Kï tasdeeq Wo sab log karenge Jinko unki khidmat me kuchh din rehne Kï Sa'adat ya kisi Safar me rafaqat ka sarf haasil hua hai aur Unki tadaad hazaaro Kï hai ,"
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *338 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-338*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-338*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *Deeni Dawat me inhimaak*
↬• Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh. Ke intiqal ke baad Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh. Per sabse zyada Jo kaifiyat taari hui Wo Deeni Dawat me inhimaak Kï thi ,
★• Jis Dawat ke liye Hazrat Maulana ilyaas Sahab ne jaan de Dï aur unki Zindgi me Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh ilmi mashgooli Kï khaatir is Dawat me Khatir khwah waqt na de sake, ab Wo Dawat Hazrat ke Dil Kï Awaaz ban gayi ,ab Woh Dawat me itne mashgool ho gaye k iske alawa koi aur cheez Yaad na rahi ,Unki Shab v Roz aur saare Avqaat bas Dawate Deen me ghir kar reh gaye ,
★• Araam v Raahat ya Ghar me Sukoon v tamanat se ek ghadi guzaarne ka bhi waqt nahi milta tha ,Tabligi Dawat se itna ishq ho gaya tha k iske alawa na kisi Kï baat ko Sunna gawara karte the na kisi aur mashgale ko pasand karte the,
★ • Hazrat ki Pehli Ahliya Mohatrama Hazrat Shekhul Hadees Madzillahu Kï sabse badi Sahabzadi thi ,Hazrat Maulana ilyaas Reh ke inteqal ke baad aleel ho gayi aur unki alalat rafta rafta shiddat akhtyar karti gayi aur Akhri naazuk shakl akhtyar kar gayi ,
*_ Lekin Maulana Yusuf Sahab ko kaam me itna zyada inhimaak ho chuka tha k unka zahan v dimaag is kaam ke alawa aur kisi taraf nahi chalta tha aur agar chalta tha to waqt me itni gunzaish na hoti k woh timaardari kar sake ,
★. Maulana Manzoor Sahab Naumani Kï Ahliya Muhatrama ne ek baar Jaa kar Hazrat Kï Ahliya Mohatranma se is be tavajjohi aur be iltifaati Kï vajah daryaft Kï to Unhone jawab diya ,:--
*_ Wo Din Raat Deen Kï Fikr me aur Deen ke kaam me lage rehte he'n unko apna hosh bhi nahi he ,Maine khud hi unse keh diya k Aap meri fikr bilkul na kare ,Dava, Ilaaj ho hi raha he ,Agar Allah ne Jannat me Jama farma diya to waha'n itminan se rehne ka moqa milega ,"
★• isme koi shak nahi k jab kisi ko cheez se ishq ho jata he to Duniya Kï har cheez qurbaan kar dene ko taiyaar ho jata he ,Yaha'n tak k apne Tan Man ka hosh tak nahi rakhta ,Hazrat ka yahi haal tha ,Deeni kaam se unko ishq ho gaya tha, unki majlis me sivae Jama'ato Kï aamado raft ,Avqaat ka mutalba karne ,Jama'ato Kï tashkeel aur us per muzakra ke aur kuchh na hota ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *339 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-339*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-339*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *iztiraab v Beqarari*
↬• iztiraab aur beqarari ne Hazrat Kï Zindgi ke sare gosho ko ghee rakha tha ,Unki zaban khulti to Deeni Dawat aur Musalmano Kï bad-haali aur kaam Kï zarurat par khulti ,Unki Aankhe un afraad ko talash karti Jo apna azeez waqt Deen ke liye dene aaye ho ,Isi fikr me sote aur isi fikr me jaagte the ,Aur mehman aata to yahi fikr paata ,Aksar bechen ho kar farmate ," Haay Allah mai Kya karu ?"
★• Aur kabhi farmate ," Kash Duniya ka koi hissa aisa mil jata Jaha'n Islam apne Sahi Khato haal ke saath Nazar aata ,"
★• Kabhi labo per Muskurahat aa jati ,magar Dil iztiraab v bekali se choor choor hota ,maloom hota k Dil me ek Aag si lagi hai ,Maulana ke Sare Jazbaat v ahsasaat ko Jala kar raakh kar diya hai ,
★ • Baat karte karte Aasteen chada lete ,Thodi thodi dair baad Aah bharte Jo dardo Asar me doobi hoti ,Maulana us daur me Allah Kï ek Zabardast nishani they ,Unhe dekh Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke Sahaba Kiraam ke Dard v Fikr ko samajhna Asaan ho jata tha,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *340 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-340*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-340*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *imaan v Yaqeen-1,*
↬• Hazrat Maulana Yusuf Sahab Reh .Kï Sabse Mumtaz aur Sabse badi Sift imaan v Yaqqen aur Khuda ke Vaado par Aitmaad Kï thi ,is Aitmaad aur Yaqeen v imaan billaah ne dar Haqeeqat is Deeni Dawat me Jaan daali , Jo Log Talab se baat Ko sunte Wo Apne andar imaan v Yaqeen Kï Bijli dudti hui mehsoos karte ,
★• Hazrat is tarah Jannat aur Dozakh ka zikr farmate ,Akhirat ke aish v Raahat aur azaab v takleef ko is tarah bayan farmate k jese Sare manazir unki Aankho ke saamne ho ,Ain dalaail aur Misaaio se unki Haqeeqat ko bayan farmate k sunne walo ki nigaaho me Duniya waham v Tilasm ke Siva kuchh Nazar na aati ,Yahi Wo imaan Kï taaqat thi jisne beshumar logo ke Dilo Kï Duniya badal Dï aur lakho dil imaan ke jazbe se mamoor aur Qurbani v isaar Kï lazzat se makhmoor ho gaye ,
★• Ek baar Hazrat Kï Taqreer sun kar ek Sahab ne Chilla likha diya aur Safar per Rawana ho gaye ,Unke Waalid ka Khat aaya k Mere Ladke ko Kaha'n bhej diya ,Mai'n Budha hu'n ,Wo hota to Kamata aur meri Raahat ka samaan muhaiya karta ,,
*_ Unko ye likh kar chain na aaya to Khud Nizamuddin aaye aur Aate hi bigad gaye k mere Ladke ko bigaad diya ,Na kaam ka raha na Kaaj ka ,
★ • iske baad Maulana Kï taqreer mai beth gaye aur poori taqreer sunk ,Sunte hi mutassir ho gaye aur besaakhta khud bhi Chilla likha diya aur fir Hazrat ke payr dabane lage aur bole ," Hazrat Mujhko Shikayat thi k Aapne mere Ladke ko bigaad diya Ab to Mai'n khud bigad gaya ," Maulana ye Sun kar hansne LAGE ,
,
,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *341 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-341*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-341*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. *imaan v Yaqeen-2*
↬• Qazi Muhammad Adeel Abbaasi Apne tassuraat bayan farmate hai'n,
" Jis tarah Aaftabe Aalam taab Kï Suaao ( Sooraj Kï Roshni se ) s Aankhe chakachondh ho jati hai usi tarah Jab Mai'n Pehli martaba Hazrat Reh se do Chaar hua to Azeem buzurg insaan ke saamne mujhe hairat is baat per hui k Bachpan se Ulma ko Sunne ka Shoq raha ,Ye Anokhi baate kis kitaab me likhi thi Jo kisi ne Aaj tak bayan nahi Kï ,
★• Jab waha'n se lauta to Chand Ahbaab ne Sawal kiya k ye Hazrat Ji kaun hai'n ?/mere tassur ka ye Aalam tha k Maine Jawab diya k, Khabardaar uski taqreer sunne na Jana ,Bada Khatarnak insaan hai ,Apne saath bala Kï kashish aur jaazbiyat rakhta hai ,Bas apne saath ghaseet le jata hai aur Ek do Raahe per khada kar deta hai ,
★._ Aur Un Aankho se dikha deta hai k ye Jannat he ,Ye Jahannam he ,Jidhar Chahe Jao ,aur natija ye he k Uski baate Sunoge to Jo Halwa Parathe gaflat me hum log uda rahe hai'n Wo sab Chhoot jayega ,"
★. Meri is bad-tameezi se logo ka ishtiyaaq bada aur Jo gaya Wo Apne Dil me ek Zabardast tees aur gehra zakhm le kar aata ,Use ahsaas ho gaya k Wo Jis Raah per chal raha he Wo kaisi holnaak aur Khud faramoshana he,
★• Ye thi Sunnate Khatimul Ambiya Sallallahu Alaihivasallam Jo Hazrat Maulana ko ( Jinhe log Adaban Hazrat Ji kehte they,) naseeb hui thi ,Mujhe Hindustan ke behtar Ulmao masa'ikh ko DEKHNE, unki khidmat ka sarf haasil hua lekin Apni Zindgi me ESA ( Hazrat Ji jesa ) koi nahi paya Jisme A'ala darje Kï roohaniyat ho k paas bethte hi Apne A'maal saanp bichhoo ban kar kaatne lagte aur Ruju ilallaah ka jazba paida ho kar Khashiyate ilaahi taari ho jaye ,aur Apne NAFS ke nazdeek aur bad amaaliyo se tauba kar ke Raahe Mustaqeem Akhtyar karne Kï TALAB paida ho ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *342 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-342*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-342*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Shane Tawakkul aur Be Niyazi*_
↬• Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh.Kï Shane Be niyazi mai Apne masa'ikh aur Akaabir Salf ke sachche namoona they ,Unhone apne Madarse aur Apne idaare ke liye kisi Raqam ka qubool karna ya kisi Kï madad Lena gawara nahi Kï ,
★• Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh ke zamane se markaz mai Bada langar jaari tha ,aur ek ek waqt mai Pachaso Aadmi khana khate they ,Maulana ke inteqaal ke baad halaat badal gaye aur Kuchh arse tak Wo baat na rahi Jo pehle thi ,Lekin Wo Langar Jaari raha aur Jama'ato Kï aamado raft badhti gayi ,
★•_Maulana Yusuf Sahab Reh usi farakh dasti se mehmano aur musafiro ka ikraam farmate rahe ,aur kharch mai zarra barabar bhi Kami na Kï ,Hazrat Shekh Reh ne is faeakh dili aur farakh dasti ko dekhte hue farmaya,:
*_Molvi Yusuf ! Chacha Jaan ( Maulana ilyaas Sahab) ke zamane mai aur baat thi ,Tum apni basasat ke muwafiq halaat ka lihaaz rakhte hue Kaam Karo_"
Iske Jawab mai Maulana Yusuf Sahab Reh ne farmaya:-
"Bhai Ji ! Lene wala Badla hai ,Dene wala nahi Badla ,"
"Bhai Ji ! Lene wala Badla hai ,Dene wala nahi Badla ,"
★• Ek waqt Qarz Kï Raqam bahut dino tak ada nahi ho saki ,Jiska Dukaan se Samaan aata tha ,Uske maalik ne taqaza kiya ,Us qarz Kï adaygi ke intezam ke liye Dehli ke kuchh Ba Tofeeq Log aur Hazrat Ji ke talluq rakhne wale Dosto ne Hazrat Ji ko bataye bager 25 hazaar Kï Raqam apne paas se Jama kara Dï aur aapas me ye tay kar liya k Hazrat Ji ke ilm me ye baat bilkul nahi layi jaye aur ye Raqam markaz ke intezam mai kharch Kï Jaye ,
*_ Kisi na Kisi tarah Maulana ko iska ilm ho gaya ,Unhone un Hazraat ko bula kar Poochha aur tehqeeq ke baad irshad farmaya :-
"_Aap logo ne Jo kuchh kiya Nek niyati Se kiya lekin mere saath ye ek tarah ka Zulm hai , Jab is tarah ke intezam Aap log karenge to Fir Allah Kï madad ke qabil nahi rahenge ,Allah Kï madad ke qabil hum usi waqt rahenge Jab tak Duniya mai hamara koi sahara na ho aur Hamari nazar bas Allah ke Khazane aur uski madad per ho aur hum muztar Ho'n ,"
Iske baad Aapne Hukm diya k har ek apni apni Raqam le le ,chunache ESA hi kiya gaya ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *343 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-343*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-343*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Aalami Dawat*_
↬• Maulana Deen ko kisi qila mai mahsoor nahi samajhte they ,Na Deeni Dawat ko kisi khaas muqaam ya Kisi Khaas tabqe ke liye jaante they ,Unhone Shuru hi se Aalami Dawat deni shuru kar di ,Wo bhi bade zoro Quwwat se aur Aitmaad v Yaqeen se Dawat dete ,Unke saamne koi khaas mulk na tha na koi Khaas Shoba tha ,
★• Maulana Saare Aalam ko Dawat ma Maidaan samajhte they aur har har khitte mai Daaiyo'n ko Jane aur Dawat ka kaam karne per poori tarah amaada karte they,
★• Shuru Shuru mai jab Maulana ne Logo ko Bahar nikalne Kï Dawat di ,To mukhliseen v muhabbeen aur Talluq rakhne wale ese Hazraat Jinka Deeni Dawat se gehra talluq tha ,Khud hairat mai pad gaye k ESE Daur mai Jabki muqaami Kaam bhi poori tarah nahi ho pa raha hai, Maulana Door daraaz aur beroon Kï kese Dawat de rahe hai'n ? Aap Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh Kï tarah itni ounchi baat keh dete hai'n,
★ • Maulana ne farmaya:- Mujh mai aur Hazrat Ji mai ye farq hai k Hazrat Ji Reh Pahaad ki Choti per khade ho kar logo ko Choti per bulaate they aur mai Pahaad ke Daaman mai khada ho kar Logo ko Choti per Chadne Kï Dawat deta hu'n ,"
★.Maulana Kï is Aalami Dawat ka ye nateeja nikla k Hindustan v Pakistan Kï Jama'ate na sirf apne apne mulko mai balki mukhtalif mulko mai baar Jane lagi aur Mulko Kï jama'ato ne markaz Nizamuddin aana shuru kar diya ,is tarah Saari Duniya ghar aangan ho gayi aur Hudood v faaslo ka farq mit gaya ,
★• Wo Mewati Jinka Mewaat se nikalna Dushwaar tha aur Jab Hazrat Ji ilyaas Sahab Reh ne ek baar Mewatiyo ko U P mai firne Kï Dawat Dï to Un Mewatiyo ne Sakht Hairat aur Tajjub ka izhaar kiya tha aur Safar ko apne liye Dushwaar Tareen kaam samjha tha ,,,,Lekin ab Wahi Mewaati Jama'ato ko le kar Poore aitmaad v Yaqeen ke Saath America ,Japan ,Bartaniya vagera mulko mai firte rehte hai'n,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *344 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-344*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-344*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Joshe Taqreer aur Zauke Dua*_
↬• Maulaana Kï taqreero mai Jo faizane ilaahi hota tha aur Jo Aamad hoti thi uske mutalliq khud Maulana farmate they,:- K Jo mai Bayan karta hu'n Uske mazameen Aksar Raat ko Khwab mai aate Hai'n ,"
★• Maulana Kï Taqreer ibtidaai daur mai mukhtasar hoti thi magar Roz ba Roz taveel aur Pur Josh hoti gayi ,Jitna Jitna zamana guzarta jata Ye Josh badhta jata tha ,Maloom hota k Seene mai ek Lava hai Jo Ubal ubal kar bahar nikal raha hai, Aakhir Umar mai to kaafi taveel ho gayi thi ,4-4 ghante tak jaari rehti ,
★• Maulana Har Khitaab ke baad Dua farmaya karte they, Dua bhi kesi ? Itni taaqatwar aur mo'assir k jiski misaal milna mushkil hai ,
★ • Dua mai Sabse Pehle Khuda Kï Sifaat Bayan farmate ,Uske baad Qur'an v Hadees Kï Duae'n Padh kar Apni Kamzori Bebasi ka izhaar farmate aur islam aur Musalmano Kï Aafiyat aur un per Rahmat v Shafqat Kï darkhwast farmate aur Fasaad ke mitne aur Fasaad karne walo Kï hidayat ya halaakat Kï iltija karte aur ek ek ka naam le kar Khuda ke Huzoor mai arz karte ,
★. Aankhe Aansuo'n Se behne lagti aur insaano Kï cheenkhe nikal padti ,Har sunne wala Josh v Nishat Kï kaifiyat mai doob jata aur ye Yaqeen ho jata k Sainkdo Farishte Aameen kehne walo ke Saath Aameen keh rahe hai'n ,
★•Sayyad Abul Hasan Sahab Nadvi Reh kehte Hai'n,,
*_ Jab Maulana Dua farmate to Hazireen ka ajab Haal hota ,Khaas Tor per jab Urdu mai Dua ke alfaaz ada farmate ,To Aansuo'n ka Sailaab umad aaya ,Door door se Rone walo Kï Hichkiya'n Sunne mai aati ,
*_ Jab Maulana Dua farmate to Hazireen ka ajab Haal hota ,Khaas Tor per jab Urdu mai Dua ke alfaaz ada farmate ,To Aansuo'n ka Sailaab umad aaya ,Door door se Rone walo Kï Hichkiya'n Sunne mai aati ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *345 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-345*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Juhad ,Sabr V Azmiyat-1,*_
↬• Shayad Hi esa koi waqt milta ho Jisme Hazrat Araam karte ho ,is Raah mai unke liye Koi cheez maane na thi ,Barish ho ya Aandhi ho ,Faqro Faaqa ho ,Bimari azaari ya aur koi rukawat ,Hazrat Ji Reh chattaan Kï tarah Apne muqaam per zindgi bhar Jame rahe aur Bade se Bade haadse aur Takleef ka dat kar muqabla kiya ,
★• Sabse Pehla moqa aaya jab k Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh ka inteqal hua ,Ye waqt Badi Aazmaish ka tha ,Bade bade talluq wale bhi apni jagah per qaayam na reh sake aur Kaam se hat gaye ,Jo baqi they Wo apne aapko andhere mai paate ,
★• Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh ka agarche ye haadsa unka zaati haadsa tha aur Ghar ka haadsa tha, Shafeeq Waalid ka Saaya Sar se uth gaya tha ,aur Sirf Saya hi nahi utha tha balki ek Azeem kaam ka baare amanat ( Dawat ki Zimmedari ) sar per pada tha ,
★ • Lekin Hazrat Ji Reh ne Sabaat qadmi se Kaam liya aur Sabhi Hazraat ko fir Jama kiya aur Kaam Kï qayadat sambhali aur Apni Jaan v Maal sab kuchh nichhawar kar diya, Akaabir ne Sar Parasti Kï aur Himmat afzaai kar ke Maulana ke Dil ko mazboot kiya ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *346 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-346*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Juhad , Sabr v Azmiyat -2*_
↬• Doosra moqa Hindustan ke Batware ka hai ,Wo Daur bhi Kitna Sakht aur Aazmaish ka tha ,Bade se bade Soorma aur Mazboot Aadmi ke qadam ukhad chuke they,
★• Lekin Hazrat Ji Reh ne Hijrat se Saaf inkaar kar diya aur Aapne Bade se Bade haadse ka muqabla kiya aur Kaam kiya ,
★• Bhopal mai ijtima tha ,Un dino Hazrat Ji Reh Kï Raan per Ek bahut bada Zakhm tha Jiska Haal ye tha k Harkat karne aur Zor se Taqreer karne se usme se Khoon jari ho jata tha ,
★ • Maulana isi Haal mai Bhopal tashreef le gaye aur Adaat ke mutabiq ijtima mai Taqreer bhi farmayi ,Zakhm Kï Takleef kafi bad gayi thi ,Bhopal se faarig hone ke baad waha se 40 -50 meal ke faasle per ek aur ijtima tay tha ,Hazrat Ji Reh waha bhi tashreef le gaye ,
★. Lekin tay ye hua k yaha Maulana Taqreer nahi farmayenge balki fala'n saathi Kï Taqreer hogi ,Magar Saathi Kï Taqreer ke baad Hazrat Ji ko ahsaas hua k Dawat Quwwat ke Saath nahi Dï ja saki ,To Apne androoni Jazbe se magloob ho kar khud Taqreer ke liye israar farmaya ,
★• Haalat ye thi k Bethne ke layaq bhi nahi they, chunache let kar Bolna shuru kiya ,idhar Zakhm Kï haalat ye thi k usme se khoon jari ho gaya ,Ek kapda laga diya jata ,Jab Wo bilkul Tar ho jata to doosra kapda badal diya jata ,is tarah kai kapde khoon se Bhar gaye aur Hazrat Ji ne Adaat ke mutabiq Taqreer farmayi ,aur Allah ke us Bande ko kuchh hosh nahi tha kya ho raha hai,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *347 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-347*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-347*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Juhad ,Sabr v Azmiyat -3,*_
↬• Ek Jalse Ke dauran Barsaat ka Mausam tha ,Pandaal basti ke bahar laga hua tha ,Hawa ka ek Jordaar Jhoka aaya aur Sare pandaal ukhad gaye ,
★• Hazrat Ji Kï Taqreer hone wali thi aur Majma sunne ke liye betaab tha ,Hazrat Ji Tashreef laye ,Khutba shuru hi kiya tha k Zor Shor se Barish shuru ho gayi ,Logo ka theharna mushkil ho gaya ,Magar Hazrat Ji apni jagah jame rahe aur logo ko pukaar pukaar kar bulate aur apne makhsoos andaz me farmate :-,
"Kaagaz ke nahi ho k gal jaoge ,Mitti ke nahi ho k pighal jaoge ,"
"Kaagaz ke nahi ho k gal jaoge ,Mitti ke nahi ho k pighal jaoge ,"
★• Hazrat ina'amul hasan Sahab Reh Chhatri le kar aaye to Hazrat Ji ne ROK diya aur farmaya:- k,
*_ Kya hum apne Kaamo ke liye Rozana line me khade ho kar ya Khaito me hal chalate hue bheegte nahi hai'n? Apne Liye nahi bheeg raha hu'n ,Khuda ke liye bheeg raha hu'n ,Aaj ka ye mera bheegna Kal Qayamat mai kaam dega ,"
★ • Hazrat Ji Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh ka Ye Sabr v istaqlaal aur Dawat ke liye Qurbani dekh kar makhlooqe Khuda dhaade maar maar kar Rone lagi aur Aapas mai kehne lage ,"" Batao Bhai is Shakhs ko kya laalach hai ,,"?
★. Aur majme ka ye Haal tha k chala aa raha tha ,Kapde baarish se tar batar they aur Aankhe Aansuo'n se tar ,,,Maulana Kï Dadi se Paani beh beh kar gir raha tha ,Ek bhi Shakhs esa na tha Jo Hazrat Ji ko is Haal mai chhod kar apne ghar Kï Raah leta ,Log Unki Taqreer humma Tan ho kar sun rahe they, Aur Rone Kï awaazo se fiza goonj rahi thi ,
★• Baarish barabar tez ho rahi thi aur Hazrat Ji is Aalam mai bhi Josh v Walwale aur Tasalsul se Taqreer farma rahe they, Kai ghanto Kï Taqreer isi tarah hoti rahi aur Majme ne Sabr v Sukoon aur Zoq v Shoq se Suni ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *348 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-348*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-348*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Tawazo aur Khaak Saari*_
↬• Hazrat Ji ke Andar bavjood ilm v fazal aur Zuhad v Taqwa ke had darje Tawazo aur khaaksaari thi ,
★• Apne Bado ke saath bade se Bada maamla karte aur Chhoto ke saath barabar walo ka sa maamla karte ,Ahle ilm ke ilm ka aitraaf karte ,Unki Qadar karte unko apne sar per bethane ki koshish karte aur Badi izzat v ahatraam ka maamla karte ,Khususan un logo ke saath Jinka talluq Hazrat Maulana ilyaas Sahab Reh se raha ho aur Deeni Dawat se talluq raha ho ,
★• Har naye aane wale ke saath Wo jis darje ka Aadmi hota usse ouncha maamla farmate ,
★ • Hazrat Ji Reh ko Kisi Aalim se bavjood apne ilm v fazal ke istfada karne mai hijaab nahi hua ,Unhone apni Mashoor Kitaab "Hayatus Sahaba " likhni shuru Kï to usme bhi Kabhi pasho pesh nahi kiya k kisi ahle ilm ke saamne Kitaab ko pesh kare aur islaah ke taalib ho ,
★.Maulana izharul Hasan Sahab Kandhalvi Bayan karte hai'n k ,Ek baar Basti Nizamuddin mai Mehtaro ne hadtaal kar Dï ,Mehmaan Mard to Jangalo mai Jaa kar Faarig ho lete lekin Aurto'n ka masla Sakht ban gaya tha Ya un Mardo ka Jo Budhe ya Bimaar they,
*_ isse gandgi felne lagi ,Hazrat Ji ne kai din tak mehmano aur ghar walo Kï najasat uthaa kar jangal mai le ja kar fenki magar kisi ko iski khabar na Dï ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *349 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-349*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-349*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*ittehaad v Yakjahti*_
↬• Hazrat Ji Maulana Muhammad Yusuf Sahab Reh mai ek imtiyazi sift aur hazaar kamaalo ka ek kamaal ye tha k Mukhtalif maslak rakhne walo ko Jode rakhte they ,
★• Hazrat Ji ke nazdeek ikhtilaaf ne Ummat ko tabaah kar diya tha aur Ulma ko Awaam Kï nigaah mai zaleel kar diya tha ,Hazrat Ji ke nazdeek Deeni Dawat ka kaam Ummat Kï Bhalaai Kï Buniyaad tha ,isliye iski Raah mai Jo cheez bhi rukawat hoti Wo qabile mazammat thi ,
★• isliye Hazrat Ji ne Kabhi koi esa masla nahi chheda Jisse aapas ka takeaav hone ka andesha ho ,Sirf fazail per apni Dawat ko chalaya ,Masail Muftiyo aur Ulma per chhod diye , aur Ittehaad v Yakjahti ko Akhri waqt tak qaayam v jaari rakha aur Kisi waqt bhi ikhtilaaf paida hone na diya ,
★ • Hazrat Ji Kï is Deeni Dawat ko har tabqe ne qubool kiya ,Ek hi waqt mai Darul uloom Devband ke Ulma v Talba aur Muslim University ke Professor aur Students, Sufiya v Sajjad nasheen aur Siyasi aur Angrezi logo ne is Dawat ko qubool kiya ,ek hi saath Safar kiye aur Aaj bhi ek hi Saf mai mukhtalif nazariya rakhne wale aur mukhtalif Soch wale log khade hue hai'n aur Kaandhe se kaandha milakar is Dawat ke liye safar kar rahe hai'n, Ameer ,Gareeb ,Chhote bade ka koi farq nazar na aayega ,
★. Dar Asal ye Hazrat Ji Reh ki sabse Badi sift aur Kamaal tha k Unhone saare daano ko ek hi Tasbeeh mai piro diya tha ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *350 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-350*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-350*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*itteba e Sunnat*_
↬• Hazrat Ji Kï poori Dawat v Tehreek Kï buniyaad hi itteba e Sunnat thi ,Khud Aapki zindgi Sunnat Kï pervi aur Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Kï Muhabbat per thi ,
★• Khud Farmate :- Aaj har tabqe mai Jo har jagah Joota chal raha hai aur Masail bigadte ja rahe hai'n, Iska ilaaj sirf Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhivasallam ke tareeqe mai hai ,Jo jitna karega ,Allah Ta'ala Kï taraf se utna payega ,"
★• Doosri jagah irshad farmaya :- Allah Ta'ala ne Hamari Duniya v Akhirat ke Masail ka hal Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhivasallam ke tareeqe per zindgi guzaarne mai rakha hai ,Unke tareeqe Hamari zindgi mai aa jaye iske liye mehnat Kï Zarurat hai ,"
★ • Farmate :- Ek Din bachpan mai Hazrat Maulana Muhammad ilyaas Sahab Reh ne farmaya, Yusuf tujhe mai Kutub banne ka raasta batau'n ?
Arz kiya ,Hazrat Bataiye Kutub banne ka raasta kya hai? ,
Arz kiya ,Hazrat Bataiye Kutub banne ka raasta kya hai? ,
*_Farmaya ,Yusuf ! Jis jagah jis waqt Huzoor Sallallahu Alayhivasallam Kï Sunnat ke khilaaf koi Amal ho raha ho ,Uske muqable mai Sunnat ko rivaaj dene ke liye, Mehnat ,bager jagah aur waqt Kï taqeed kiye karna ,,,Ye Qutub v Abdaal banne ka Raasta hai ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *351 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-351*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Khuda se Zinda Talluq aur Raahe Khuda Kï isteqamat*_
↬• Aaj log masa'ikh aur buzurgo mai karamaat dhoondhte hai'n, Us Shakhs ko buzurg maante hai'n jiske andar Karamat aur Khaariq Adaat cheeze payi jati ho chahe Wo Khuda se zinda talluq rakhta ho ya na rakhta ho ,Shariyat ke Ahkaam per Amal karta ho ya na karta ho ,Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ke tareeqo ko apnata ho ya na apnata ho ,
★• Lekin dar Haqeeqat Sabse Badi buzurgi ye hai k Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ka Sachchi pervi kare aur Aapke qadam ba qadam zindgi guzaare ,
★• Sekh Abu Saieyd Abul khair Reh .se logo ne Kaha k ,Fala Shakhs paani per chalta hai ,Unhone farmaya, " Haa'n ! Ghaas ka Tinka bhi paani per chalta hai ,( ye koi Kamaal Kï baat nahi )
*_ Fir kaha gaya ," Fala Aadmi Hawa mai udta hai ,"
farmaya :- ( theek hai) cheel aur makhkhi bhi Hawa mai udte hai'n "
farmaya :- ( theek hai) cheel aur makhkhi bhi Hawa mai udte hai'n "
*_ Fir kaha gaya k Fala Aadmi ek lahze mai ek Shehar se Doosre Shehar chala jata hai,
Farmaya :- ( isme kya rakha hai) Shaitaan to ek dam mai mashrik se magrib tak chala jata hai, in Baato Kï koi qeemat nahi ,Marde Haq dar asal Wo hai Jo makhlooq ke darmiyan nashisht v barkhasht rakhe ( milta julta ho ) ,Bivi Bachche rakhta ho aur Fir ek lahza bhi Khuda se gaafil na rahe ,"
Farmaya :- ( isme kya rakha hai) Shaitaan to ek dam mai mashrik se magrib tak chala jata hai, in Baato Kï koi qeemat nahi ,Marde Haq dar asal Wo hai Jo makhlooq ke darmiyan nashisht v barkhasht rakhe ( milta julta ho ) ,Bivi Bachche rakhta ho aur Fir ek lahza bhi Khuda se gaafil na rahe ,"
★ • Hazrat Ji Kï zindgi isi Kï pervi thi ,Mujahid v Riyazat mai koi Kami nahi Kï ,aur husoole maarfat mai Kamaal Haasil kiya aur baaz dafa karamato ka bhi zahoor hua ,Lekin unke yaha karamato ki koi ahmiyat na thi ,balki isteqamat, itteba e Shariyat ,Allah se talluq aur Nabi Sallallahu Alayhivasallam se Muhabbat Kï ahmiyat zaahir thi ,
★. Subeh se shaam tak Hazrat Ji Reh logo ke saath uth te beth te they, Khate pite they, Har tarah ke Aadmiyo se guftgu karte they, Lekin ek Lamha bhi Khuda ke Zikr se gaafil aur Allah ke talluq se Khaali na hote they,,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *352 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-352*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-352*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Apni Khwahish Ka islaam*_
↬• Hazrat Ji ke nazdeek is waqt islam per chalna Jo mushkil ho raha hai aur har taraf islam ke khilaaf awaaze Buland ho rahi hai'n iski vajah ye hai k Musalmano ne islam ko apni khwahish ka bana rakha hai, Unhone islam ko apne mizaaj ke taabe bana liya hai ,
★• Farmaya ;- Aaj kehte hai'n k mojooda zamane mai islam chalne wala nahi hai , Sahi hai islam ko apni khwahish aur apni haalat ke mutabiq bana ke chalaoge to Wo islam rahega hi nahi ,Wo to tumhari banayi hui ek nayi cheez ho jayega ,"
★• Kisi ne apne Badan per Godne wale Sher Kï tasveer banani chahi ,Jab Wo Sooi se godne laga aur Takleef hui to godne wale se kaha k Kya bana rahe ho ? Usne kaha ",Sher Kï Dum bana raha hu'n ," Us Aadmi ne kaha k Dum chhod do ,bager Dum ke bhi Sher Kï tasveer ban sakti hai,
*_ Godne wale ne doosri taraf se banana shuru kiya ,Ab fir usne kaha ,Kya bana rahe ho ? Usne kaha k Kaan bana raha hu'n ,,Usne kaha bager Kaan ke bhi Sher Kï tasveer ban sakti hai,
★ •To Bhai Dosto ! Yahi islam ke saath ho raha hai k Apne mizaaj ke badal Jane Kï vajah se islam per chalna mushkil ho raha hai to islam Ko chhoda ja raha hai aur usko apni khwahish ke mutabiq banaya ja raha hai, "
★. Aaj Deen ke Jin Ahkaam per Musalman Amal nahi kar rahe hai'n, Chahe Wo Ahkaam kisi Shobe ke ho ,Un per Amal karne se ya to Musalmano ke Maal per zad padti hai ya Jaan Jism per ,isliye in Ahkaam per Amal karna unke liye Sakht mushkil ho raha hai aur islam ke maanne ke bavjood uske Ahkaam ke khilaaf zindgiya'n guzaar rahe hai'n, "
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *353 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-353*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Avvaleen Shart*_
↬• Hazrat Ibne Masowd Raziyallahu Anhu Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ke mutalliq farmate hai'n k ,Pehle humne imaan seekha ,uske baad Qur'an Kï Taleem Haasil Kï ,
★• Yahi vajah thi k Sahaba kiraam ke andar islam ka ahatram Allah v Rasool Sallallahu Alayhivasallam Kï qadro manzilat ,ahkaame khudawandi ka khayal aham tha ,Varna ilm chahe Jitna bhi aa jaye ,agar imaan na ho to Wo ilm wabaale Jaan ban jata hai,
★• Hazrat Ji isi line per chal kar imaan billaah ko avvaleen shart qaraar dete Hai'n aur saath hi saath Tareeqa e muhammadi ko akhtyar karne aur Sunnat ko is shart Kï ek Kadi qaraar dete Hai'n,
★ • Farmate hai'n :- Sabse pehle kaam ye hai k apne mizaaj ko islam ke mutabiq bana liya jaye aur ye jab banega jab is baat ka Yaqeen paida ho jaye k Kisi makhlooq se kuchh nahi hota ,Sab Allah se hota hai aur Halaat ka banaav v bigaad aur kaamyabi v nakaami ,Cheezo ke hone na hone se nahi hoti balki Allah Ta'ala ke faisle se hoti hai,
*_Aur Allah Ta'ala banane aur chamkane ka faisla karenge jab mai Muhammad Sallallahu Alayhivasallam ke tareeqe per aa jaunga ,, *To is Raaste per chalne ke liye khaarji nahi balki dakhili daulate'n chahiye, Khuda ka Yaqeen ho ,Khuda ka dhyan ho, Khuda ka Khof ho ,Muhammad Sallallahu Alayhivasallam ke tareeqe per Khuda ke Khazane se Milne ka aur niyamato ke darwaze khulne ka Yaqeen ho,*
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *354 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-354*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-354*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Imaan v Yaqeen Kï Tashreeh*_
↬• Hazrat Ji Reh imaan Kï tashreeh kitne achhute andaz mai farmate hai'n,
*_imaan zawahir per Zawahir ke mutabiq Yaqeen karne ka naam nahi balki Zawahir v Rivaaj v insaan ke Mushahidaat ke bar khilaaf Khuda wande Quddus Kï zaat v Sifaat aur unke wale Amaal aur un Amaalo per Unki wali Khabro per Yaqeen Jama lene ka Naam imaan hai ,"
★• Hazrat Ji ke nazdeek imaan v Yaqeen hi esi taaqat hai jiske zariye Ummat Muhammadiya Taraqqi kar sakti hai, Ummat ka ek khaas mizaaj hai Wo doosri qaumo Kï tarah nahi hai, iski tarkeeb iska mizaaj Sabse juda hai , isliye Sabse Pehle imaan v Yaqeen ko zinda karna zaroori hai,
★ • Hazrat Ji Kï nigaah mai gairullah Kï be yaqeeni itni zyada thi k ek lamha ke liye iske tasavvur ko bhi bardasht nahi karte they ,
★. Ek waqt farmaya :- Atom bom se darna esa hi hai jese mushrikeen apne patthar ke Buto se darte they aur Ummeed rakhte they, Atom bom aur atom bom walo Kï gardane qudrat ke haath mai Hai'n ,Atom bom se Wo hoga Jo Khuda chahega , Firoun bhi Apne aapko taaqatwar kaha karta tha ,magar Khuda ne usi paani ko uske garq v barbaadi ka Samaan bana diya ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *355 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-355*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-355*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Androoni Tabdeeli*_
↬• Hazrat Ji Reh. Ke khayal mai Ummat Kï islaah berooni Tabdeeli se nahi balki Androoni Tabdeeli se ho sakti hai, Maal v Zar Kï zyadti ,Husno Jamaal ,Achchhi Poshaake ,Maaddi Taraqqi se Ummat Kï islaah Na-mumkin hai ,iske liye Zaroori Hai k Ummat apni andar Kï Duniya badle aur Allah se talluq badta chala jaye ,
★•Kaamyabi aur Na-kaami insaan ke andar ka Haal ka Naam hai ,Bahar Kï Cheezo ke naqshe Ka Naam Kaamyabi aur Na-kaami nahi hai ,,,,
★• insaan ke andar Kï Maaya uska Yaqeen aur uske Amaal hai'n ,insaan ke andar ka Yaqeen aur andar se nikalne wale Amaal agar theek honge to Allah jal Shanh andar Kaamyabi Kï haalat paida kar denge ,Chahe Cheezo ka naqsha kitna hi past ho,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *356 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-356*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-356*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Ummat ka Jaama Tasavvur*_
↬•Hazrat Ji Maulana Yusuf Sahab Reh kisi khaas giroh ko pasand nahi karte they, Wo Ummat ke qaayal they aur Ummat ka ek jaama Tasavvur pesh karte they, aur Chahte they k ye Ummate Muslima Kï Dawat bane ,
★• Farmaya :- Ye Ummat Badi mashakkat se bani hai ,isko Ummat banane mai Huzoor Sallallahu Alayhivasallam aur Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne Badi mashakkate uthaayi hai'n, aur Unke Dushmano Yahood v Nasaara ne hamesha iski koshish Kï hai k Musalman ek Ummat na rahe ,balki Tukde Tukde ho ,,Ab Musalman Ummat hone Kï sift kho chuke hai'n, Jab tak ye Ummat bane hue they, Chand Laakh bhi Duniya per bhaari they, "
★• Ye Ummat is tarah bani thi k Koi Aadmi apne khandaan ,apni biraadri ,apni Party, Apni Qaum ,Apne Watan ,Apni Zabaan ka haami na tha ,Maal v Jaaydaad aur Bivi Bachcho Kï taraf dekhne wala bhi na tha ,balki har Aadmi sirf ye dekhta tha k Allah aur Uske Rasool Sallallahu Alayhivasallam kya farmate hai'n,
★ • Ummat Jab hi banti hai Jab Allah aur uske Rasool Sallallahu Alayhivasallam ke Hukm ke muqable mai saare Rishte aur Saare Talluqaat kat jaye ,
★. Ummat kisi ek Qaum aur ilaaqe ke rehne walo ka Naam nahi hai balki Sainkdo hazaaro qaumo aur ilaaqo se Jud kar Ummat banti hai, Jo koi kisi ek Qaum ya ek ilaaqe ko apna samajhta hai aur Doosro ko gair samajhta hai Wo Ummat ko zibah karta hai aur uske Tukde Tukde karta hai ,aur Huzoor Sallallahu Alayhivasallam Aur Sahaba kiraam Raziyallahu Anhum Kï Mehnato per paani ferta hai ,
★• Ummat ko Tukde Tukde pehle humne kiya hai ,Yahood v Nasaara ne to uske baad kati kataayi Ummat ko kaata hai ,Agar Musalman ab bhi Ummat ban jaye to Duniya Kï Saari taaqate mil kar bhi Baal baanka nahi kar sakengi ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *357 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-357*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-357*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Ummat Kaise Banegi,*_?
↬• Farmate hai'n :- Sirf Kalma Namaz aur Tasbeeh se Ummat nahi Banegi ,Ummat Aapas ke mail milaap aur Mashrat ki islaah se aur Sabka Haq ada karne se ,aur Sabka ikraam karne se Banegi ,balki Jab Banegi Jab doosro ke liye apna Haq apna hissa qurban kiya jayega ,Huzoor Sallallahu Alayhivasallam aur Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne apna Sab kuchh qurban kar ke apne ouper takleefe jhel kar is Ummat ko Ummat banaya tha ,
★• Ummat ke banane aur bigaadne mai ,Jodne aur Todne mai ,Sabse zyada dakhal zabaan ka hota hai, Zabaan Dilo ko jodti bhi hai aur Phaadti bhi hai ,Zabaan se ek Galat baat per fasaad Kï laathiya chal jati hai aur ek hi baat Jod paida kar deti Hai, aur Phate hue Dilo ko mila deti Hai,
★• isliye Sabse zyada Zarurat hai k zabaano per qaaboo ho ,Aur ye jab ho sakta hai jab banda har waqt iska khayal rakhe k Khuda Har waqt aur har jagah uske saath hai aur uski har baat ko sun raha hai, "
★ • Mere Bhaiyo aur Dosto ! Allah v Rasool Sallallahu Alayhivasallam ne shiddat se un baato se mana farmaya hai Jinse Dilo mai farq pade ,foot ka khatra bhi ho ,Do Do Chaar Chaar alag kaanafoosi kare isse Shaitaan Dilo mai Badgumani paida kar sakta hai ,
★. Isse bhi mana farmaya hai k koi buraai Jo maloom na ho usko tajassus kar ke maloom kiya jaye aur buraai kisi Kï maloom ho gayi to usko Doosre ke saamne Zikr karne se mana farmaya aur Geebat ko haraam kiya gaya ,Ye cheeze Wo hai Jo Ummat mai aapas mai Farq paida kar ke Ummat Kï sift ko todti hai ,
★• Iska ilaaj aur Tod yahi hai k Tum apne ko Huzoor Sallallahu Alayhivasallam wali Mehnat mai laga do ,Musalmano ko Masjido mai laao ,Waha imaan Kï baate ho ,Taleem v Zikr ke halqe ho ,Deen Kï Mehnat ke mashware ho ,Mukhtalif tabqo aur Mukhtalif biraadriyo ke aur Mukhtalif zabano wale log Masjide Nabvi wale tareeqe per in Kaamo se Jude ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *358 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-358*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-358*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*islaam Kï Hayaat Ka Tareeqa*_
↬• Farmate they :-Ye khayal galat hai k Mulko Maal haath aa Jane se islam chamkega ,Mulko Maal to islam ko zinda dargor kar rahe hai'n,
★• Aaj jinke haatho mai Hukumat aur uske Khazane hai'n Wo Abu Bakar Raziyallahu Anhu aur Umar Raziyallahu Anhu ke numainde nahi hai'n balki Qaisar v Kisraa aur Shadda aur Qaroon ke numainde hai'n, Unse islam Kï tawaqqo rakhna bilkul galat hai ,Unke haatho mai islam ka Jo Haal hai usko dekh kar to Dil kehta hai, Allah is Murde mai ab kaise Jaan daalega ,"?
★• Deen Jab bhi chamka hai qurbaniyo'n se chamka hai, Aaj bhi qurbaniyo'n se hi chamkega ,islam ke liye qurbaniya'n ho to ye Dushmano ke ghaire mai bhi chamakta hai aur jab qurbaniya'n na ho to Apni Badshahat mai bhi MIT jata hai, "
★ • Ambiya Alaihissalam ka Paigaam aur Tajurba hai k Maslo ka Hal aur Kaamyabi na Maal mai hai ,na Hukumat mai ,na aksariyat mai ,Balki Allah ke Amr se wabasta ho Jane mai aur uski Raah mai Mujahida karne mai hai ,
★. Qur'an Majeed mai Ambiya Alaihissalam ke Jo waqiyaat Bayan farmaye gaye Hai'n, Un per gor kijiye ,unka Haasil aur Khulasa aur Rooh Yahi hai k Aksariyat aur Daulat aur Hukumat kuchh nahi ,Asal cheez Allah ka faisla aur Uski Madad hai ,Aur Wo un Bando ke saath hai Jo uske ho jaye'n aur Uski Raah mai Qurbaniya'n de'n ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *359 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-359*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-359*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Zaat v Sifaat Ke bajaye Amaal v Akhlaaq*_
↬• Hazrat Ji Reh ke nazdeek Salaah v Falaah aur Kaamyabi Sarfarazi mai kisi Kï zaat v Sakhsiyat ka dakhal nahi hota balki uska maiyaar Amaal v Akhlaaq hai ,
★• Duniyavi haisiyat se ek kam se kam tar insaan ke Amaal v Akhlaaq agar achche hai'n to nusrat e khudawandi uske saath hogi aur Wo Kaamyabi v Sarfarazi Kï Buland se Buland satah per pahunch jayega ,
★• Aur Duniyavi haisiyat se kisi ke paas Daulat v imaarat ,izzat v wajahat aur quwwat v taaqat Kï Saari daulate Haasil hai'n magar Akhlaaq v Amaal ke lihaaz se Wo past tareen hai ,Khuda ka gazab usko apni lapet mai le lega aur uski Zaati haisiyat aur Sakhsiyat uske kuchh kaam na aa sakegi ,
★ • Allah Ta'ala Kï madad zaato Shakhsiyato Kï vajah se nahi aati balki unke Amaal v Akhlaaq aur Avsaaf Kï vajah se aati hai, Allah Ta'ala ne Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Kï Jo madad farmayi ,usi tarah Aapke Sahaba kiraaam aur baad mai Auliya Kiraam per Allah Ta'ala ke Jo inamaat hue aur Unki Jo madade farmayi gayi ,Wo Unki Shakhsiyato Kï vajah se nahi balki unke Amaal aur Khaas kar Allah ke liye Unki Qurbaniya'n aur Deen ke Raaste mai Unki mehnato Kï vajah se farmayi gayi ,
★. Aaj bhi Jo Allah Kï Wo madade chahe ,Wo unke liye Amaal aur unki Wali Qurbani aur Mehnato ke Raaste per pad jaye to Wo Allah Kï madad ko aata hua khud apni Aankho se dekh lega ,"
★• Amaal se muraad Hazrat Ji ke nazdeek, Allah ke awaamir aur Huzoor Sallallahu Alayhivasallam wale Amaal hai'n aur Ye Amaal Yaqeen aur ilme nabuwat Kï roshni se hat kar nahi paida hota ,isi tarah Akhlaaq bager Amaal Kï durustgi ke aur ibaadat ke nahi paida hote ,aur Akhlaaq Wahi theek hai Jinme Ikhlaas v lillahiyat ho ,Varna Unki koi qeemat nahi hai balki ESE Amaal tabaahi laane wale hote hai'n,
★. Aaj bhi Jo koi Allah Kï madade chahe Wo unke wale Amaal aur Unki wali qurbaniya'n aur Mehnato ke Raaste per Pad jaye to Wo Allah Kï madad ko aata hua apni Aankho se dekh lega ,
★• Aur Ye bhi fatmate they, K Jo insaan Khaliqe Kaaynaat aur Asale Kaaynaat Huzoor Sallallahu Alayhivasallam ko Jane aur maane bager Kaaynaat Kï Cheezo mai ghuste hai'n, Unki haisiyat Choro aur Dakuo'n Kï si hai ,Unhe'n Maal v Daulat to mil sakte hai'n magar Sukoon v mehboobiyat hargiz hargiz nahi mil sakti ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *360 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-360*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Ikhlaas v Lillaahiyat*_
↬• Hazart Ji ke nazdeek ikhlaas Amaale Saleha Kï Jaan hai ,Bager ikhlaas Amal Be-Rooh aur Be-jaan hota hai,
★• Jab tak Yaqeen aur ilm e nabuwat ke mutabiq ibaadaaat durust na ho jaye ,Akhlaaq nahi aate,aur Jab Tak hum mai Akhlaaq nahi aayenge Doosro mai Deen nahi felega ,,,,,,,Aur farmate they Agraaz ke liye kisi se koi Sulook karna Akhlaaq nahi hai, balki Koi kaam bhi Jab tak usme ikhlaas na ho uski qatan koi qeemat nahi ,
★• Mufti Zainul Aabedeen Reh Farmate hai'n k ek Din majlis se uthe aur mere kandhe per haath rakh kar farmaya :- Mufti Sahab ! Amal ikhlaas ke bager Murda to hai hi aur dekho Gharo ,Bazaro ,Daftaro ,Yaha'n tak k Madaris v Masajid mai bhi ese Murdaaro ke dhair lag rahe hai'n,
★ • Farmate They, Allah Kï Raza ke alawa kisi bhi Niyat se Karna nafsiyat hai ,Maal mil jaye ,Maal bad jaye ,Log tareefe kare ,Bada ban hai'n ,Shohrat mil jaye ,Ohda mil jaye ,Meri baat chalne lage ,Meri Raay poochhi jaye ,.....in Agraaz ke liye Amal karna hargiz Ikhlaas aur lilllahiyat nahi hai ,
★. Jo Log Sirf Razae ilaahi ko maqsood bana kar chalte hai'n, Un per jab Allah ke Vaade poore hote Hai'n aur Maal v Mulk Kï niyamate'n milti hai'n to Wo Unko Apni zaat per Kgarch karne Kï bajaye Deen Kï ishaa'at aur Makhlooqe Khuda per Mahaz Raza e ilaahi ke liye kharch kar dete hai'n, Jese Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ne kiya tha ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *361 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-361*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*ILM aur Ulma Kï Qadar*_
↬• Hazrat Ji Reh. Kï nigaah mai Ilm Kï Badi Azmat thi aur aksar ilm ko Haasil karne ke liye Targeeb diya karte balki Tableeg Dawat tehreek Ke Buniyadi usoolo mai ilm ka Haasil karna bhi hai ,Lekin Hazrat Ji us ilm ko mufeed jaante aur saraahte they Jo imaan aur Yaqeen ko paida karne wala ho Ya Jo imaan v Yaqeen ke zariye Haasil ho ,
★• Hazrat Ji Taleem V Ta'allum ( Seekhna Sikhana ) Kï esi saakht ke qayal they Jiske Nateeje mai ilm ke saath Amal ho ,Amal ke saath Taleem ho aur Taleem ke saath Ta'allum ho , Jiske zariye har Zarurat aur har moqe Kï amali Taleem mile ,aur Deen ke nazariyati Usool hi maloom na ho balki unka saleeqa bhi paida ho ,Huzoor Sallallahu Alayhivasallam aur Sahaba Kiraam ke yaha yahi Tarteeb thi aur Sahaba Kiraam ne isi tareeqe se Deen seekha tha aur Hazrat Ji isi per Zor dete they aur isi tareeqe ke liye jaddo jahad aur Jaani Maali Qurbani aur Mehnat v Mashakkat Kï Dawat diya karte they,
★• Ek Madarse mai Bukhari Shareef ka Khatm tha ,Khatm per Aapne farmaya :- Bhaiyo'n ! Aapne Bukhari khatm Kï ,ilm Haasil hua ,ab isi ilm per Teen Maqsado ke liye Mehnat Zaroori Hai,
*_1:-is ilm ke mutabiq apne andar ka Yaqeen,
*_2:- is ilm ke mutabiq Amal ,
*_3:- is ilm v Amal ko Aalam mai failana ,
*_2:- is ilm ke mutabiq Amal ,
*_3:- is ilm v Amal ko Aalam mai failana ,
★ • Ek Martaba Ulma ke Taleemi Halqe ke Khatm per farmaya:- Hum ye nahi chahte k Bukhari padhane walo ko Attahiyaat padhane per laga de magar ye zaroor chahte hai'n k Bukhari padhane walo ke nazdeek Attahiyaat yaad karane Kï bhi intehayi ahmiyat ho ,isliye k ye bhi Huzoor Sallallahu Alayhivasallam ke uloom mai se ek ilm hai , isko gair aham samajhne wala Kahi ka na rahega ,aur ye bhi chahte Hai'n k Taleem ka ye darja bhi mahireen e Bukhari Kï nigrani mai ho ,
★. Ek Waqt Farmaya :- Dekhiye Khoob Samajh lijiye ,Hum Akabire Ulma ke har waqt Mohtaaj hai'n, Unke bager charah kaar nahi ,unke Daaman ke saath wabastgi Hamari Sa'adat hai ,inki qadardani Uloome Nabuwat Kï qadardaani hai ,Jis Qadar hum Unki Qadar v Khidmat karenge aur Unki khidmat mai haazri ko Badi ibaadat samajh kar unke irshadaat se faayda uthaate rahenge ,Usi Qadar uloome nabuwat ke anwaraat se munawwar hote rahenge ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *362 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-362*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Poore Nizaam Kï Tabdeeli*_
↬• Hazrat Ji Reh Deen ke kisi khaas Shobe ke Daayi aur ilm bardaar nahi they balki poore nizaam Kï Tabdeeli chahte they aur poore Mashre mai Saleh inqlaab Lana Tareeqa e Muhammad Sallallahu Alayhivasallam ke zariye logo ka zahan v dimaag badalna chahte they,
★• Maulana Naseem Akhtar Sahab Fareedi Jo Hazrat Ji Reh ki khidmat mai kai Baad gaye ,Unhone apne tassuraat Tehreer farmaye ,Ek guftgu ke mutalliq likhte Hai'n:-
*_ Aaj khair v Shar Neki Badi ka imtiyaz baqi nahi raha ,Aaj ke Daur mai hum Sab mil kar ye kaam Anjaam de le k Ummat Khair v Shar mai imtiyaz karne lage to Bada kaam ho jaye ,Namazo Kï tashkeel ,Zakaat ka nijaam ,Roza ramzan ka ahatmam ,Fariza e hajj ke adaab Kï takmeel aur tamaam akhlaqi aur maaahi sudhaar ka masla aage ka marhala hai ,
★• Neki aur Badi ka Fark samajh jane ke baad fir saare ahkaame khudawandi per Zor dete ,Chahe Wo tijaarat v zara'at ke mutalliq ho ya Akhlaaq v maashre ke silsile ke ho ,Ya ibaadat v riyazat ke mutalliq ho ,Hazrat Ji Bazaar aur Masjid Dono ke nizaamo Kï durustgi ke Daayi they,
★ • Farmate they :- Hum ye chahte hai'n k Bazaar se Masjid tak nizaam aur Masjid se Betullah tak ka nizaam durust ho jaye ,"
★. Farmate they :-Muslim Kï har cheez Deen hai ,Basharte k Allah Ta'ala ke bheje hue Ahkaam aur Adaab ke rang mai rangi hui ho ,Hamara Khana Peena ,Sona Jaagna ,Hamara Bivi Bachcho ke saath bartaav ,Hamara Bolna aur Khamosh rehna hi Hume Taraqqi dilwate hai'n aur Allah Kï Raza aur uske vaade poora karwate hai'n, Jabki Allah ko Haazir Naazir samajh kar uske Ahkaam v farmaan ke mutabiq apne Nafs Kï khwahishaat ko daab kar ROK kar Muslim wali rakhi hui Tarteeb v utaari hui tarkeeb ke mutabiq Shab v Roz ke har kaam ko Huzoor Sallallahu Alayhivasallam wali zindgi Kï jhalak ke saath kiya jaye ,,
★• Aaj hamara ghar aur Dar ,Hamari Tijarat aur Khaitiya'n ,Hamari Bivi aur Bachche ,Sab hi mai Allah Ta'ala se qurb karne ke bajaye usse door karne Kï sift ka galba paya ja raha hai,,,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *363 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-363*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-363*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*infiradiyat Ya ijtimaiyat*
↬• Hazrat Ji Reh ke nazdeek is waqt Jitne bhi Masail Musalmano ko darpesh hai'n aur jin mushkilaat se Ummat e islamiya do Chaar hai ,Unka ijtimayi Mehnat aur infiradi Koshish hai,infiradiyat unka Hal nahi ,
★• Jo Log inka Hal infiradi Koshish ya infiradi Amaal ke zariye karna chahte hai'n Wo na to Ummat ke mizaaj se waaqif hai'n Na Wo koi Masla hal kar sakte hai'n, infiradi Amal se Taaqat toot kar Reh jati hai aur Ummat ko faayda pahunchne ke bajaye Nuqsaan pahunch jata hai ,
★• Ek Shakhs sirf Namaz Padhta hai lekin Doosro Kï Namazo Kï fikr nahi karta ,Ek Shakhs Roza rakhta hai aur Sirf Apne Roze per mutma'in ho kar Zindgi guzaarta hai aur Ummat se Be Parwaah ho kar Zindgi basar karta hai ,Uske Amal se na usko koi faayda pahunch sakta hai, na Ummat ko ,
★ • Farmaya:- Hamari Galat kaari Kï vajah se hamara zahan infiradi ban chuka hai ,Deen ke bare mai bhi aur Duniya ke bare mai bhi ,Yaha'n ke bare mai bhi aur Akhirat ke bare mai bhi ,Zahan bas ye ban gaya k Apni zaat wale Haal mai laga rahe ,Chahe Deen ka Haal ho ya Duniya ka ,isse Apna Musalla durust ho jayega ,
★. Lekin Shakhsi Ahwaal per taaqat kharch karne se Bala v Musibat kam nahi hoti balki izaafa hi hota hai, Ijtimayi ahwaal ko jab tak theek na bana liya jaye ,Us waqt tak Shakhsi haalat ka durust hona mushkil hai ,
★• Farmaya :- ijtimayi masle ke bigadne Kï soorat mai agar Qaum ke Auliya Allah sudhaarne ke liye Raato ko Ro Ro kar bhi Duae'n karenge to Unki Duae'n bhi halaat ko behtar nahi bana sakti ,Agar Khuda Ta'ala ke yaha se faisla ho jaye k Kisi mulk ke insaan Bhooke mare to agar Bhook se bachne ke liye ek ek Shakhs poori tarah Jaan bhi khapa raha hoga tab bhi ek ek kar ke bhook se halaak ho jayenge ,Apni Zaat ke masle mai lag Jana hi to ijtimyi bigaad ka zariya hai ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *364 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-364*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-364*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Ijtimayi Taaqat Ka Masraf*_
↬• Aaj Fasaad v Halaakat aur bigaad badhta ja raha hai, Aaj Duniya bad akhlaqi,Be zameeri ,Khuda faramoshi aur halakat v tabaahi aur bepanaah musibato ke dahane per khadi hai , Har Taaqate maaddi taraqqiyo mai kharch ho rahi hai lekin ye taraqqiya'n hi zawaal ki vajah ban rahi Hai'n,
★• Farmaya :-Jis cheez per Allah Ta'ala Taaqat lagwana chahte hai'n Usme lagne se to Masail theek hote hai'n aur Jin Makhlooqaat per insaan khud taaqat kharch karta hai ,Usse Masail bigadte hai'n, infiradi bhi bigadte hai'n aur Ijtimayi bhi ,Taaqate jab makhlooq per kharch hone lage to Khuda ka gazab naazil hota hai aur Nateeja ye hota hai k Jo ek Doosre ke hamdard hote hai'n Wo Jaan lewa ho jate hai'n,
★• Doosri jagah Hazrat Farmate hai'n,:- Jo kuchh bhi hai zameen se Asmaan tak aur Jo is waqt mojood hai aur Jo aage aane wala hai ,Saari cheeze Allah Allah Kï makhlooq hai aur saare ahwaal bhi uske makhlooq hai'n, To bas jab kuchh Lena ho uske liye Allah hi per taaqat kharch Kï jaye ,Agar Khof se ghabrahat hai to bhi Allah hi se raabta paida kiya jaye ,Jis Khof ko Allah se hatwaoge Wo hamesha ke liye hat jayega ,
★ • Agar makhlooq per taaqat kharch kar ke koi cheez Haasil Kï to vajood uska bhi Allah hi ke paida karne se hoga ,Jo Shakhs Allah se na le aur Makhlooq se le To bahut hi pachhtana padega ,
★. Is waqt ke bigaad Kï vajah sirf ye hai k Hum sab Jo Allah Paak ke hukmo per Jaan khapane wale hote ,Wo makhlooq per Jaan khapane aur usi se lene ke Galat Tasavvur ke aadi ho gaye ,Allah Paak ke hukmo per Jaan Khapane per Allah Kï madad ka Yaqeen hoga usi qadar gaib se darwaze khulte jayenge ,
★• Agar Khuda ke Deen per Jaan khapane walo Kï miqdaar bade aur is per Yaqeen ho k chunki pyari zaat se waasta hai ,Hamari margoobaat ho ya makroohaat Allah hi Kï taraf se hai ,ye baat hai to Dilo ko poori tarah makhlooq mai Allah Paak ka Yaqeen paida karne ke liye, Thokre khaye aur Raat ko uski janaab mai gidgidakar dua maange ,to in sha Allah har tarah ijtimayi aur infiraadi ahwaal durust aur muwafiq ho jayenge ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *365 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-365*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-365*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Dawat Ka Khusoosi Kaam,*_
↬• Hazrat Ji Reh . Saare masail ka Hal Chahe Wo infiradi ho ya ijtimayi ,isme samajhte they k Har Fard ka imaan v yaqeen khuda per mazboot ho aur Jalwat v Khilwat mai uska raabta khuda se qaayam ho ,Huzoor Sallallahu Alaihivasallam wale Amaal ( Jinme ibaadat se le kar akhlaq v mashrat aur maamlaat tak hai'n) ka haamil ho aur in saari cheezo ka Daayi ho aur Ye Dawat Duniya mai ijtimayi tor per di jaye aur khusoosan ek esi Jama'at ho Jiska mojoo yahi ho ,
★• Farmate they :- Shaitaan tumhare Saath hai ,iska ilaaj ye hai k Tumme ek Jama'at ho Jiska mojoo hi Bhalaai aur Neki Kï taraf bulana ho aur Buraai aur fasaaad se rokna ho ,
★• imaan ke liye khair v Neki ke Raaste per chalne ke liye mehnat karta rahe ,Namazo per mehnat kare ,Zikr per mehnat kare ,Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke laye hue ilm per mehnat kare ,Buraiyo aur musibato se bachane ke liye mehnat kare aur in Mehnato Kï vajah se ek Ummat bani rahe,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *366 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-366*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Mehnat Ka Sahi Raasta,*_
↬• Aaj Duniya mai Mehnat Kï kami nahi ,Har Shakhs mehnat karta hai, Koi Kam koi zyada ,Lekin ye saari Mehnate apne zaati agraaz v maqsad aur Araam v raahat wali cheezo per Kï Jati hai ,
*_Hazrat Ji ke nazdeek ye saari Mehnate bekaar ja rahi hai'n, Mehnat Wo hai jisse insaan ka Haal badle aur Zahiri Tip Taap ke badle baatini araaatgi paida ho ,
★• Farmate they :- Aaj Kal is Duniya mai cheezo ke haasil karne ke liye barah raaat cheezo per mehnat karne ka rivaaj hai ,Khait wale Khait se Galla haasil karne ke liye bas Khait per hi mehnat karte hai'n, Tijaarat aur Saudagari wale aur Kaarkhane wale Bas dukaano aur kaarkhano per mehnat karte hai'n, Yahi Mehnat Aaj kal aam hai ,
★• Doosra Raasta ye hai k Mehnat v mujahida kar ke apne andar Taqwa paida kiya jaye aur fir Allah Ta'ala inaam ke Tor per apne khazana e gaib se cheeze aur barkate naseeb farmaye ,
★ • Qurane Paak mai farmaya gaya hai, Aur Jo Allah Ta'ala ka taqwa akhtyar kare to Allah Ta'ala uske waaste Raah nikaalenge aur usko waha se rizq ata farmayega jaha usko waham v gumaan bhi na hoga ,
★. Aur farmaya Jo Taqwa akhtyar karega Allah uske Kaamo ko asaan karega ,
★• Aur ek Jagah farmaya k ,agar in logo mai imaan aur taqwe Kï sifaat hoti to hum un per zameen v Asmaan Kï Barkato ke darwaze khol dete ,
★• Ab Duniya mai sirf maaddi cheezo per mehnat ka rivaaj hai, Taqwa paida karke Allah Ta'ala se Sahi Talluq qaayam karke Allah Ta'ala ke fazal v karam se lene ka Raasta log biilkul bhool gaye ,Halanki Yahi Raasta hai Jiski Dua har Namaz Kï har Raka'at mai Kï jati hai ,
★• Allah ke saare Nabiyo ,Rasoolo aur unki Raah per chalne wale sabhi maqbool bando ka yahi Raasta hai aur iske bar aks Jo log Allah Kï hidayat se mehroom hai'n aur Jin per khuda ka gazab hai Unka Raasta ye hai k Wo Allah Kï zaato sifaat ke yaqeen ,ibadaat se bilkul be parwaah aur bilkul be fikr ho kar sirf maaddi lino per mehnat kare ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *367 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-367*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Mehnat Ka Faayda,*_
↬• Nabiyo'n wali Mehnat na apni zaat ke liye thi ,na Duniyavi taraqqi ke liye ,Balki insaano Kï hidayat Maqsad rehta tha ,
★• Yahi Maqsad qayamat tak ke liye is Raaste ( Dawat) mai mehnat karne walo ka hona chahiye , aur isi mai Khuda Kï madad aur aage ke liye Raaste khulte hai'n,
★• Hazrat Ji Reh. Farmaya karte they k ,Is Mehnat ka Faayda ye hai k Mehnat karne walo ko aur Saath hi Saath doosre insaano ko hidayat mil jaye aur insaan Deen per itna hi chalenge jitni khuda Kï taraf se hidayat milegi ,
★ • Mehnat Kï Satah jitni buland hoti jayegi utni hi khuda Kï taraf se hidayat Kï taqseem aam hoti jayegi , Woh Mehnat Jab khatm ho jati hai to hidayat Musalmano mai se nikalna shuru ho jati hai, Pehle Hidayat Karobaar Mashrat mai se nikalti hai k Karobaar mai Jo Deen ke ahkamaat hai'n unko chhod kar doosre tareeqo se Karobaar chalane lagte hai'n, Fir fara'iz nikalte hai'n aur fir Mukhtalif buraiya'n dakhil hone lagti hai'n Yaha tak k Musalman Deen se nikalne lagte hai'n,
★. Aur Jab ye Deen Kï Mehnat Kï jati hai to hidayat khuda Kï taraf se aani shuru ho jati hai fir Jis darje mai Mehnat taraqqi karti jayegi hidayat failti jayegi ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *368 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-368*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Mehnat Kï Satah aur Uske Nata'ij,*_
↬• Duniya mai Deen ke liye jitni Mehnat Kï Jati hai Usi ke ba-qadar uska nateeja baramad hota hai, agar mehnat is satah Kï Kï jaye k Jo log Be Namazi hai'n Wo Namazi ban jaye ,To Namazi banne lagte hai'n magar aur doosre ahkaam Kï pabandi nahi hoti ,agar ibadaat Zikr v Tilawat Kï mehnat Kï jaye to log Aabid v zaahid aur Shab bedaar ban jayenge magar maamlaat v maashrat ka Khana khali reh jata hai,
★• Hazrat Ji Reh. Mehnat Kï is satah per Raazi nahi they, balki esi Mehnat karana chahte they Jisse Deen ke Sare ahkaam Kï pabandi ho aur " Udkhulu fissilmi Kaaffah," ka darja haasil ho ,Wo iske liye zyada se zyada waqt Kï Dawat dete ,Unke saamne poore Aalam Kï hidayat ka masla tha ,
★• Farmate they, Asal imaan Kï Mehnat ka naqsha ye hai k esi fiza paida ho jaye k Jisko jis waqt jaha ke liye kaha jaye Sab mashagil chhod kar Raahe khuda mai chala jaye aur Jab Bahar ke Aadmi Deen seekhne ke liye is maqaam per aaye to Yaha bhi unke Saath lag jaye ,hame in jesi mehnat karne wala banna hai ,poori pooori Jaan lagane wala banna hai ,
★ • Jab Ye Qurbaniya Kamaal darje tak pahunch jayengi to un qaumo ko bhi Aapke zariye hidayat milengi Jo Asmaan per ud rahi hai'n, Wo Musalman Jo zindgi ke Kisi Shobe mai bhi islam Kï baat sunne ko taiyaar nahi Wo apne tamaam Kaamo ko islam ke ahkamaat ke muwafiq banane lagega aur Aap Hazraat Kï qurbaniyo ka badla Huzoor Sallallahu Alaihivasallam hoze kausar per khade ho kar dilwayenge Jaha Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ansar Se Milne aur unki qurbaniyo ka sila dilwane ka Vaada farmaya ,
★. Ba sharte k ye Tai kar lo k Khuda Jo kuchh in mehnato ke baad dega Wo haasil kar ke doosro ko denge aur khud na lenge ,esa karne mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï jhalak payi jayegi Kyunki Aap Qurbaniyo ke daur mai Sahaba Kiraam ke Saath they aur Jab Niyamate Milne ka waqt aaya to Aap taahreef le gaye aur sirf Akhirat per nigaah rakhenge ,Wahi hazraat Akhirat mai Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se zyada qareeb honge ,in sha Allah,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *369 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-369*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Tableeg Ka Maqsad,*
↬• Tableeg ka Maqsad Kisi Khaaa cheez Kï isha'at nahi hai balki iske zariye Hume har us cheez ko zinda karna hai Jisko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam musalmano Kï falah ke liye le kar aaye aur Hum Musalman Kï istedaad ke mutabiq Amal per daalte rahe ,
★• is sabki buniyaad Allah Kï Raza ke liye ghar baar chhodne Kï aadat ko umoomiyat dena hai ,Jitni ye cheez aam ho jayegi Haq Ta'ala Kï rehmat Kï baarish aam tor per naazil honi shuru ho jayegi ,
★• Hazrat Mufti Zainul Aabedeen Sahab Hazrat Ji Reh ke mutalliq apne tassuraat is Tarah bayan karte hai'n:-
*_Dawat ke Amal ko Hazrat Ji Reh tamaam Amaale nabvi mai zyada taaqatwar aur Ambiya Alaihissalam ka maqsade hayaat yaqeen karte they ,aur farmate they, Ye Ambiya ka khaasul khaas Amal tha ,Ambiya Alaihissalam wali madade isi Amal ke Saath hai'n basharte k ye Amal Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqe per ho ,
★ • Hazrat Ji Reh is Amal ke liye har Tarah Kï intehayi Qurbani chahte they, Us waqt Aam Dawat ye thi Waqt ka tihaai hissa Yani har saal chaar Mahine Berooni naqal harkat mai sarf kiye jaye baqi Aath mahine apne muqaam per is Tarah guzaare jaye k Adha waqt Masjid aur uske Amaal mai sarf ho aur baqi Adha ghar aur uski zaruriyaat ko diya jaye ,
★. Ek martaba purano se farmaya :- is kaam ko Asal banaao aur baqi Kaamo ko iski silwato mai karna seekho ,aur chahte they k har Shehar aur har mulk is Dawat ka maidaan bane ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *370 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-370*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Sirf Naqal Harkat Kaafi nahi,*
↬• Hazrat Ji Reh Farmate they :-
*_ Mere Dosto Khaali Naqal Harkat aur logo ke uthne aur Mulko mai nikal Jane ka Naam Kaam nahi hai ,Asal to ye hai k khud Kaam karne wali ke Dilo mai Allah Rabbul izzat ka yaqeen taraqqi kar raha ho aur Gairullah Kï nafrat paida ho rahi ho aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï itteba ka zoq ubhar raha ho ,Namazo mai taraqqi ho ,ilme Deen se apne ko sairaab kiya ja raha ho ,
★• Zikr mai Kasrat Kï ja rahi ho aur usse nooraniyat mehsoos ho rahi ho ,ikraame Muslim Kï mashq is qadar bad rahi ho k Muslim to Muslim gair insaan tak ko apne se behtar samajh kar Khidmat ka maadda badh raha ho ,in Sab Amaal ka Maqsad Allah Kï Raza Joi ho fir in Amaalo ke paida karne ke liye Allah Ta'ala ke Bando mai apni Jaan khapayi ja rahi ho ,iske liye Jo kuchh bardasht karna pade kar jaye ,
★• Agar Ye halaat Kaam karne walo Kï taraqqi per ho to samajho k Kaam ho raha hai ,Varna mere Dosto ! Duniya mai Behtreen taqreer karne wale mojood hai'n, Agar nahi hai'n to Allah Ta'ala ke Deen ko maqsood bana kar Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqe per Jaan Kï Bazi to darkinaar Awqaat tak lagane walo Kï kami hai ,
★ • Bahut hi Mubarak hai'n Aap Hazraat k in tamaam Amaalo ko paida karne ke liye koshish aur fikr mand hai'n, Maqami gasht hafte mai do ya kam se kam ek din aur Rozana fazail Kï taleem ka har gaanv aur har Masjid mai ahatmaam karne ka iraada bhi farmaye ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *371 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-371*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Gair Rivaaji Kaam,*
↬• Dawat o Tableeg ka ye Kaam Jisko shuru hi se Rivaaji Tareeqo aur wasaail se bachaya gaya ,Hazrat iski baar baar Wazaahat farmate they, k Hamari ye Dawat hamesha Rivaaji tareeqo se hat kar khaalis Minhaaje Nabuwat Kï Line per chalayi jaye ,
★• Farmate they ,:- is Kaam Kï taleem ke liye Rivaaji tareeqo, akhbaar ,ishtehaar vagera aur Rivaaji alfaaz se bhi poora parhez Kï zarurat hai ,Ye Kaam Sara ka saara gair Rivaaji hai ,Rivaaji Tareeqo se Rivaaj ko taqwiyat milegi Dawat ko nahi ,Asal Kaam Kï Shakle Dawat ,Gasht ,Taleem ,Tashkeel vagera hai'n,
★• Farmate they :- humne is Kaam ke liye koi Anjuman nahi banayi ,Na is Kaam ka koi Daftar hai ,Na register hai ,na Fund hai ,Ye Saare Musamano ka Kaam hai ,Humne alag tareeqe se koi Jama'at bhi nahi banayi hai ,
★ • Jis tarah Masjid mai Namaz ke Amal mai mukhtalif tabqo aur mashgalo wale Musalman aa kar Jud jate hai'n aur Namaz se faarig ho kar apne apne gharo aur mashgalo mai chale jate hai'n, Usi Tarah hum Aap sabhi se kehte hai'n k Kuchh waqt ke liye apne gharo aur mashgalo se nikal kar ye mehnat aur mashq Kijiye, fir apne gharo aur mashgalo mai aa kar in usoolo ke mutabiq lag jaye ,
★. Haqeeqat mai ye Kaam Rivaaj ke bilkul khilaf hone Kï bina per mushkil maloom hota hai Lekin thodi mehnat v mujahida ke baad iske Sare usoolo Kï riayat karne per bahut hi asaan hai balki Rivaaji tareeqo se karne per be intehayi mushkilaat paida ho jati hai agarche bazaahir Rivaaji tareeqo mai sahulat nazar aati hai,
★• isliye ijtimayi tor per poori koshish farmayi jaye k Kaam minhaje nabuwat se hatne na paye aur Apni saadgi ke Saath Din Kï mehnato aur Raat Kï Duao'n Kï miqdaar badhti chali jaye ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *372 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-372*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Kaam Kï Noiyat Juda aur Mumtaaz Hai,*
↬• Tabligi Kaam zaahir ke bilkul khilaaf hai aur iski Noiyat saare tareeqo se Juda aur mumtaaz hai ,
★• is Raaste per chalne ke liye Khaarji nahi balki dakhili daulate chahiye ,Khuda ka Yaqeen ho ,Khuda ka dhyaan ho ,Khuda ka khof ho ,Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqo per Khuda ke khazano se Milne ka aur niyamato ke darwaze khulne ka yaqeen ho ,
★• Kuchh ilaaqo mai Tableeg Kaam karne wale kuchh ahbaabo ne Kaam ko wus'at dene ke liye " Tabligi Manzil " banane ka iraada kiya aur iske liye ishtehaar shaay kiya taki badi raqam Jama ho sake aur Manzil Kï tameer mai asaani ho ,Hazrat Ji Reh ko jab iski khabar hui to sakht naraaz hue aur apne qareebi talluq rakhne walo ko isse door rehne Kï talqeen Kï ,
★ • Fareedi Sahab ko ek maktoob tehreer Farmaya :- Ye cheeze hamare usool ke sakht khilaaf hai, Jabki Nafse tableeg ke liye chande ka Lena khilaaf hai to Mitti aur gaare ke liye to kehna hi kya ,Unko Dawat apne usool mai lagne ke liye aur bekaar cheezo se apni tavajjohaat ko hataane ke liye de ,aur unko ye bhi likh do k agar Aap logo ko Tabligi Manzil banani hi hai to ye elaan kar de k ye usool Tableeg ke khilaaf hai , Varna ye cheeze aainda Kaam mai rukawat ka Sabab banegi ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *373 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
─
*PART-373*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
─
*PART-373*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Dawat Ke Kaam Ke Dasto Baazu*_
↬• Hazrat Ji Reh Yaqeen aur Namaz ko is Kaam Kï Buniyaad samajhte hue ILM v ZIKR ko Dawat v Tableeg Kï Tehreek ke Do Baazu qaraar dete they,
★• Farmate they :- ilm v Zikr is Kaam ke do Baazu hai'n, inme se kisi ek Kï kami aur susti Asal Kaam ke liye sakht muzir aur kamzor karne wali hai ,Har ek apni Jagah nihayat zaroori hai ,ilm v Zikr ke marakiz Khanqaahe'n hai'n aur Madaris hai'n ,
*_Hum apne in dono baazuo'n ko mazboot karne ke andar har waqt Ahle ilm ,Ulma ,Sulha aur Mashaikh ke mohtaaj hai'n, Chunki inke paas ilme nabuwat aur Jawahire nabuwat mojood hai ,Hamare zimme laazim hai k hum is ilm v Zikr Kï vajah se unki khoob qadar kare ,Unki Khidmat kare ,Unki Sohbat ko apne liye Baaise islaah v nijaat samjhe , is bina per Tableeg ke aham numbero mai se hai ,Ulma v Masaaikh Kï ziyarat aur unse Duao'n ko Lena ,unke saamne halaate Tableeg sunana aur mufeed mashwara haasil karna ,
★• Is Waqt badqismati se Tableeg ke Kaam karne walo mai kuchh ese log paida ho gaye hai'n Jo ilmi Halqo ke buad Kï vajah se Ulma aur Masaaikh se mustagni ho kar band alfaaz mai in haamilane uloome nabuwat per tanqeed kar guzarte hai'n, Jo dar haqeeqat unki islaahe baatini aur deeni taraqqi Kï Raah mai rukawat ban jati hai,
★ • Halanki Hazrat Ji Reh ne is galat tasavvur per Amal karne ko mohlik qaraar diya hai, isi Tarah se Ahle Madaris ka ek tabqa esa hai Jo apni ilmi mashgooli Kï vajah se Dawato Tableeg Kï is umoomi tehreek per beja tanqeed kar guzarta hai ,
★. Hazrat Ji Farmate they :- Sahaba Kiram se le kar aaj tak Khaas Kaam karne walo aur Jama'ato se galtiya'n bhi hoti rahi hai'n, magar unki galtiyo'n Kï vajah se Ye zaroori cheeze mamnoo qaraar nahi Dï gayi balki islaah Kï gayi aur un galtiyo'n ko chhaant diya gaya , Ahle Tableeg bhi hamare hi Tarah insaan hai'n, Unme na tajurbe kaar Shakhs bhi hai'n, Unki kisi kotaahi per nafse Tableeg per nakeer karna galti se khaali na hoga ,
★• isliye mai tamaam Bhaiyo'n se ummeedwaar hu'n k har ek doosre Kï izzat afzaai Kï koshish kare aur gandgi uchhaal kar Musalmano mai mazeed tafreeq paida na kare ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *374 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-374*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-374*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Sakhsiyat Nahi balki Kaam, Aur Ijtemaat Asal nahi*
↬• Hazrat Ji Reh ke nazdeek Sakhsiyat to faani hai aur Kaam baqi hai ,iski zindgi ka akhsaar is per hai k iska talluq khuda Kï baqi rehne wali zaat se ho ,
★• Hazrat Ji Reh khud is Dawat ke kaam ko is satah per le aaye they k kisi waqt bhi unki Sakhsiyat Kï chhaap na padne paye ,Agar ye baat na hoti to Yaqeenan Hazrat Ji Reh ke inteqal ke baad Aam tehreeko Kï Tarah Jo Sakhsiyat Ke sahare chalti Hai, ye kaam bhi ruk jata ya madhdham pad jata ,
★• Magar Hazrat Ji Reh Umar bhar Kaam karne walo ka mizaaj is Tarah banate rahe k Sakhsiyat ko Mehboob jaante hue bhi Asal kaam ko Sakhsiyat ke sahare per na chalaya jaye ,Isliye Unke inteqal ke baad Khuda ke Karam se kaam rukne ya kam hone ke bajaye Badta chala gaya ,
★ • Hazrat Ji Reh ijtemmaat ko kaam Kï Buniyaad nahi samajhte they balki is per zor dete k ijtemaat kaam ka waseela aur zariya hai ,Asal kaam nahi ,
★. Bangal ke ijtime ke waqt tehreer farmaya :- mere Azeez ijtima ka bada hona Jabki amali shaklo per qaabu paane se nikal jaye ,Kuchh masarrat Kï baat nahi ,Aap hazraat iski koshish kare k Awqaat dene wale ijtimaa per apne Awqaat moqoof na rakhe balki abhi se Awqaat faarig karne walo ke rawana karne ka ahatmam farmaye ,
★• Aur Jo abhi na nikal sake ,Unki jama'ato ke zariye pehle hi se esi shakle akhtyar kar le k Waqt per unka nazam kar ke rawana karne ke bajaye pehle se poori Tarah taiyaar ho ,Unke Saath waha ke purano ko bhi jod diye gaye ho ,Bas ijtima se unki rawangi ho jaye ,
*_ Hazrat iski Dawat dete k ijtima se pehle itna kaam kar liya jaye k fir ijtimaat ke baad Jama'ato Kï rawangi ho jaye aur Log Sirf taqreer sunne ,Shirkat karne na aaye balki waqt le kar aaye , Pehle mulaqaa kar ke unse awqaat liye jaye , door nazdeek ke liye taiyaar kiya jaye ,Ijtima sirf Rivaaji Jalsa na bane balki Logo ke nikalne aur Waqt dene ka zariya bane ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *375 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-375*
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
*PART-375*
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .. _*Juhad v Mashakkat aur Allah Se Talluq - Aham Rukn,*
↬• Hazrat Ji Reh is per poori quwwat se zor dete k Purane Kaam Karne wale Juhad v Mashakkat aur Allah se Gehra talluq ke zariye is kaam ko aage badaye ,Chahe Wo ijtimaat ke zariye ho ya Mulaqaato ke zariye ho ,
★• Farmate they :- Aap Hazraat Mil Jul kar Allah Rabbul izzat Kï baargaah mai unki bhar poor madado ka poori Tarah yaqeen kar ke gidgidate hue ,bilbilate hue Duae'n karte hue Jitna Aapas Kï mulaqaato ke zariye is Mubarak v Aali kaam ke liye mehnat karenge in sha Allah Allah Ta'ala is kaam mai Jama'at wali barkaat shamile haal ho kar taraqqi v farog Kï soorate paida hogi ,
★• Aapas mai ek doosre Kï qadar kare ,ikraam v aizaaz ke Saath ,Muhabbat ke Saath waqt guzaare ,taleem ka bhi ahatmam kare ,Tasbeeh Kï taraf bahut mutavajjah ho k iske bager Sab kuchh bekaar hai ,
★ • Miya Ji Mehraab ke Naam ek khat tehreer farmate hue likha ;- is baat Kï poori zarurat hai k Namaze fajar ke baad Jitne bhi kaam karne wale hai'n unke saamne mukhtasar tasreeh v Targeeb rozana karke unko aamaada kiya jata rahe aur Kaam se zyada achchhe tareeqe per zor diya jata rahe ,apne kuchh saathi mashware ke liye muntakhab karke tamaam masaail ke liye mukhtasar mashwara karte jaya kare ,Jama'ato ko bahar rawana karne Kï koshish ko badaya jaye ,Jitna Jaddo jahad karne walo Kï miqdaar mai izafa hoga utna is shobe mai ummoomi taraqqi ke darwaze khulenge ,Jitna Amal wajood mai aa jaye us per qana'at ke bajaye taraqqi e Amal Kï har waqt fikr rahe ,
★. Apne Aazizi v inksaari v tawaazo Kï mashq ko badaya jaye ,ek doosre Kï qadardaani v aizaaz ikraam Kï poori pabandi Kï jaye ,Apne ko khadim aur doosro ko Asal karne wala yaqeen karke har izzat ke moqe per doosro ko aur zillat ke moqe per apne ko badaya jaye ,aur Aapas mai mashware ka ahatmam aur ek doosre ke mashware Kï waq'at Kï jaye ,
★• Aur ek doosre Kï diljoi Kï poori poori koshish Kï jaye ,is Raaste Kï takleef ko bizzaat Mehboob yaqeen kiya jaye ,Zikr v taleem v Da'awaat ka poora ahatmam kiya jaye ,Bado se chhota banne Kï mashq ke liye mila jaye aur apne uyoobb per har waqt nigaah daali jaye ,
------- *Baqi hidayaat agle part mai*,
★• *376 in. sha Allah ta'ala*,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ *Hazrat Maulana Sayyad Muhammad Saani Hasni Reh*.
*Sawanih - Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Kandhalvi Reh*.
☞ *Allah Ke Paigam ko Duniya tak Pahunchana aur Apne Per Mehnat Karna Hamare Faraiz me Shamil He*,
⚀ *Talib e Dua*,
⊙ *Haqq Ka Daayi*,
*, ━═─────────────────═━
☆
⚀ *Talib e Dua*,
⊙ *Haqq Ka Daayi*,
*, ━═─────────────────═━
☆
Post a Comment