0


❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
    SHAHADAT- E- HUSAIN - PART-2
        ▣  Shaheed   E  Karbala  ▣
            ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 1- Waq'aa Shaheed e karbala
◈ Saiyadna v Saiyadul Shabab Ahlal Jannat Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ka waq'aa shahadat na sirf islami tareekh ka ek aham waq'aa he balki puri duniya ki tareekh me bhi isko ek khaas imtiyaz hasil he,
◈ isme ek taraf zulm v zor aur sangdili v behayai v fahash kashi ke ese holnaak aur hairat angez waq'aat he k insaan ko unka tasavvur bhi dushwar he, aur doosri taraf Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke chashm charag aur unke 70-72 mutalliqeen ki chhoti si jama'at jinki nazeer tareekh me milna mushkil he aur in dono me aane wali naslo ke liye hazaro ibrate'n aur hikmate poshida hai'n,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 182
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
            ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 2- Khilafat e islamiya per ek Hadsa Azimiya
◈ Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ki shahadat se fitno ka ek gair munqata silsila shuru ho jata he, isme munafikeen ki saazish, bhole bhale musalmano ke jazbaat se khelne ke waq'aat pesh aate hai'n, Musalmano ki aapas me talware chalti hai'n, musalman bhi wo Jo khairul khalaiq ba'adal ambiya kehlane ke mustahik hai'n,
◈ Khilafat ka silsila jab Ameer Muaviya Raziyallahu Anhu per pahunchta he to khilafate Rashida ka rang nahi rehta mulkiyat ki surat paida ho jati he, Ameer Muaviya Raz.ko mashwara diya jata he k zamana sakht fitno ka he, Aap apne baad ke liye koi esa intezam kare'n k musalmano me fir talware na nikle aur khilafate islamiya para para hone se bach jaye,
Halaat ke aitbaar se yaha'n tak koi gair shara'i namaqool baat bhi na thi,
◈ Lekin iske saath hi Aapke bete Yazeed ka naam Aapke baad khilafat ke liye pesh kiya jata he, Kufa ke 40 khushamad pasand log aate hai'n ya bheje jate hai'n k Ameer Muaviya Raz.se iski darkhwast kare'n k Aapke baad Aapke bete Yazeed se koi qabil aur milqi siyasat ka maahir nazar nahi aata, isliye baite khilafat ki jaye, Hazrat Muaviya Raz.ko shuru me kuchh ta'amul bhi hota he to Aapne makhsoos logo se mashwara kiya, unme ikhtilaf hota he, koi muwafqat me raay deta he aur koi mukhalfat me, Yazeed ka fisq v fijoor bhi us waqt khula nahi tha, bil akhir baite Yazeed ka qasd kiya jata he aur islaam per ye pehla haadsa azeem he k khilafate nabuwat mulqiyat me muntakil ho jati he,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 182
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 3- Islam per Bait aur Yazeed ka Waq'aa
◈ Shaam v Iraaq me maloom nahi kis tarah khushamad pasand logo ne Yazeed ke liye bait ka charcha kiya aur ye shohrat di gayi k Shaam v Iraaq, Kufa v Basra vagera Yazeed ki bait per mutfiq ho gaye, Ab Hijaaz ki taraf rukh kiya gaya, Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu ki taraf se Ameere Makka v Madina ko is kaam ke liye mamoor kiya gaya,
◈ Madina ka Aamil Marvaan tha, usne khutba diya aur logo se kaha k,
"Amirul Momineen Muaviya Raz.Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki sunnat ke mutabik ye chahte hai'n k apne baad ke liye Yazeed ki khilafat per Bait li jaye, "
Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raziyallahu Anhu khade hue aur kaha,
" Ye galat he,  Ye Hazrat Abu Bakar aur Hazrat Umar Raz.ki sunnat nahi balki Kisra aur Qaisar ki sunnat he, Abu Bakar aur Umar Raz. ne khilafat apni aulaad me muntqil nahi ki aur na hi apne qunba v rishte me ki, "
◈ Hijaaz ke aam musalmano ki nazre'n ahle bait per khususan Hazrat Husain Raziyallahu Anhu per lagi hui thi, jinko Hazrat Muaviya Raz.ke baad khilafat ke mustahik samajhte the, Wo isme Hazrat Husain Raz.Hazrat Abdullah bin Umar Raz.Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raz.Hazrat Abdullah bin Zubair Raz.Hazrat Abdullah bin Abbas Raz.ki raay ke muntzir the, k ye kya karte hai'n,
◈ in Hazraat ke saamne avval to kitaab v sunnat ka ye usool tha k khilafate islamiya khilafate nabuwat he, isme virasat ka koi kaam nahi k baap ke baad beta khalifa ho, balki zaruri he k azaadana intkhaab se khalifa ka taqarrur kiya jaye,
◈ Doosre Yazeed ke zaati halaat bhi iski ijazat nahi dete the k usko tamaam mumaliq islamiya ka khalifa maan liya jaye, in Hazraat ne is saazish ki mukhalfat ki aur unme se aksar akhir dam tak mukhalfat per hi rahe, isi haq goi aur himayate haq ke nateejo me Makka v Madina me, Kufa v Karbala me qatle aam ke waq'aat pesh aaye,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 183
◆══◆══◆══◆══◆══◆         ,
▣ 4- Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu Madina me
◈ Hazrat Muaviya Raziyallahi Anhu ne khud 51 hijri me Hijaaz ka safar kiya, Madina taiyaba tashreef laye, in sab hazraat se naram v garam guftgu hui, sabne khule tor per mukhalfat ki,
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 5- Ummul Momineen Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha se shikayat aur unki Nasihat
◈ Ameer Muaviya Raziyallahu Anhu  Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha ke paas tashreef le gaye aur unse ye shikayat k ye Hazraat meri mukhalfat karte hai'n,
Hazrat Ayesha Raz.ne nasihat ki k mene suna he aap unper jabar karte hai'n aur qatl ki dhamki dete hai'n, Aapko hargiz esa nahi karna chahiye,
Hazrat Muaviya Raz. ne farmaya k ye galat he, ye Hazraat mere nazdeek wajibul ahatraam hai'n, me kabhi esa nahi kar sakta, lekin baat ye he k Shaam aur Iraaq aur aam islami shehro ke basinde Yazeed ki bait per mutfiq ho chuke hai'n, Baite khilafat mukammal ho chuki he, Ab ye chand Hazraat mukhalfat kar rahe hai'n, Ab aap hi batlaiye k musalmano ka kalma ek shakhs per mutfiq ho chuka he aur bait mukammal ho chuki he, kya me is bait ko mukammal hone ke baad tod du,?
Hazrat Ayesha Raz. ne farmaya, ye to aapki raay he aap jaane, lekin me ye kehti hu'n k in Hazraat per tashaddud na kijiye, ahatraam v rafaq ke saath inse guftgu kijiye,
Hazrat Muaviya Raz. ne inse vaada kiya k me esa hi karunga,
® Ibne Kaseer,
Hazrat Husain Raziyallahu Anhu,  Hazrat Abdullah bin Zubair Raz.,Hazrat Muaviya Raz.ke qayaam Madina ke zamane me ye mehsoos karte the k hume majboor kiya ja'ega, isliye ma'a ahal v ayaal Makka Mukarrama pahunch gaye, Hazrat Abdullah bin Umar Raz.aur Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raz. hajj ke liye Makka Mukarrama tashreef le gaye,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 184
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 6- Hazrat Abdullah bin Umar Raziyallahu Anhu ka khutba
◈ Aapse pehle bhi khulfa the aur unke bhi aulaad thi, Aapka beta kuchh unke beto se behtar nahi, magar unhone apne beto ke liye wo raay qaa'im nahi ki Jo Aap apne bete ke liye kar rahe hai'n balki unhone musalmano ke ijtmai faayde ko saamne rakha, Aap mujhe tafreeq millat se darate hai'n, so Aap yaad rakhe k me firkabeen musalemeen ka sabab hargiz nahi banunga, Musalmano ka ek fard hu'n agar sab musalman kisi raay per pad gaye to me bhi unme shamil rahunga,"
◈ iske baad Hazrat Abdurrahman bin Abi Bakar Raz. se is maamle me guftgu farmai, unhone shiddat se inkaar kiya k me kabhi isko qubool nahi karunga, Fir Hazrat Abdullah bin Zubair Raz.ko bulakar khitab kiya unhone bhi wesa hi jawab diya,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 185
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 7- Ijtimai Tor per Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu ko Sahi Mashvara
◈ iske baad Hazrat Husain Raziyallahu anhu aur Hazrat Abdullah bin Zubair Raziyallahu anhu ne khud jakar Hazrat Muaviya Raz.se mile aur unse kaha k Aapke liye ye kisi tarah bhi munasib nahi k Aap apne bete Yazeed ke liye bait per israar kare, Hum Aapke saamne 3 surate rakhte hai'n, Jo Aapke peshruo ki sunnat he,
⇨ 1- Aap wo kaam kare'n Jo Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne kiya k apne baad kisi ko mutaiyan nahi farmaya balki musalmano ki aam raay per chhod diya,
⇨ 2- ya wo kaam kare'n Jo Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ne kiya k ek ese shakhs ka naam pesh kiya jo na to unke khandan ka he, na unka koi qareebi rishtedar he aur uski ahliyat per bhi sab musalman mutfiq he,
⇨ 3- Ya wo Surat akhtyar kare'n Jo Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne ki k apne baad ka maamla 6 aadmiyo per chhod diya,
Iske siva hum koi chothi surar nahi samajhte, na qubool karne ke liye taiyaar hai'n, Magar Hazrat Muaviya Raz.ko is per israar raha k ab to Yazeed ke haath per Bait mukammal ho chuki he aur iski mukhalfat aap logo ko jaa'iz nahi,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 185
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 8- Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu ki Wafaat aur Yazeed ko Nasihat
◈ Wafaat se pehle Hazrat Muaviya Raz.ne Yazeed ko kuchh vasiyate farmai, inme ek ye bhi thi k mera andaza ye he k ahle Iraaq Hazrat Husain Raz.ko tumhare khilaf amaada karenge, agar esa ho aur muqable me tum kamyaab ho jao to unse darguzar karna aur unki qarabate Rasulullah ka pura ahatraam karna, unka sab musalmano per bada haq he,
▣ 9- Yazeed ka Khat Waleed ke naam
◈ Yazeed ne takhte khilafat per aate hi waali Madina Waleed bin Utba bin Abi Sufiyan ko khat likha k Hazrat Husain Raz, Hazrat Abdullah bin Umar Raz.aur Hazrat Abdullah bin Zubair Raz.ko baite khilafat per majboor kare aur unhe is maamle me mohlat na de,
◈ waleed ne Marvaan bin Hakam ke mashvare se usi waqt in Hazraat ko bulawa bheja, to Hazrat Husain Raz. apni zakawat se puri baat samajh gaye k lagta he Ameer Muaviya Raz. ka inteqal ho gaya he aur ye log chahte hai'n k inteqal ki khabar mashoor hone se pehle hume Yazeed ki bait per majboor karenge,
◈ Hazrat Husain Raziyallahu Anhu Waleed ke paas pahunche to usne Yazeed ka khat saamne rakh diya, Hazrat Husain Raz. ne Hazrat Muaviya Raz.ke inteqal per izhare afsos kiya aur bait ke mutalliq farmaya k ,
⇨ "mere jese aadmi ke liye ye munasib nahi k khilwat me poshida tor per Bait kar lu'n, munasib ye he k Aap sabko jama kare'n aur sabke saamne baite khilafat ka maamla rakhe,"
→ Waleed ne isko qubool kiya aur Hazrat Husain Raz. ko wapsi ki ijazat de di,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 186
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆
10- Hazrat Husain Raz. aur Hazrat Zubair Raz. Makka chale gaye
◈ Hazrat Abdullah bin Zubair Raz. apne bhai Jaafar Raz.ko saath lekar raato raat Madiba chhod kar nikal gaye, Hazrat Husain Raz. ne bhi yahi surat akhtyar ki aur apni aulaad, mutalliqeen ko lekar Madina se nikal gaye aur Makka Mukarrama pahunch kar panah li,
◈ Yazeed ko jab ye pata chala to usne Waleed ko hatakar Amr bin Sa'ad ko Ameer Madina bana diya aur uski pulis ka afsar Hazrat Abdullah bin Zubair Raz.ke bhai Amru bin Zubair ko banaya kyuki use maloom tha k dono bhaiyo me shadeed ikhtilaf he,
⇨Ye in Hazraat ki giraftari ke liye 2 hazaar jawano ko lekar Makka rawana hua aur Makka se bahar qayaam karke apne bhai Abdullah bin Zubair Raz. ke paas giraftari ke liye aadmi bheje k unhe Yazeed ka hukm he, me munasib nahi samajhta k Makka Mukarrama ke andar qitaal ho,
◈Hazrat Abdullah bin Zubair Raz. ne apne chand nojawano ko muqable ke liye bhej diya jinhone unko shikast di aur Amru bin Sa'ad ne Ibne Alqama ke ghar me panah li,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 186
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆
        ▣ 11- Ahle Kufa ke Khutoot
◈ idhar jab ahle kufa ko Hazrat Muaviya Raziyallahu anhu ki Wafaat ki khabar mili aur ye k Hazrat Husain Raziyallahu Anhu aur Hazrat Abdullah bin Zubair Raziyallahu anhu vagera ne baite Yazeed se inkaar kar diya to kuchh Shiya Suleman bin Sard khazai ke makaan per jama hue aur Hazrat Husain Raz. Ko khat likha k hum bhi Yazeed ke haath per Bait per taiyar nahi, Aap foran kufa aa jaye, Hum sab aapke haath per Bait karenge,
◈ iske 2 roz baad isi mazmoon ka khat likha aur doosre khutoot Hazrat Husain Raz. ke paas bejhe aur chand vafood bhi pahunche, Hazrat Husain Raz. vafood aur khatoot se mutassir hue magar hikmat aur danishmandi se ye kiya k bajaye khud Jane ke apne chachazad bhai Hazrat Muslim bin Aqeel ko kufa rawana kiya taki halaat ki tehqeeq ho,
⇨ Muslim bin Aqeel kufa pahunchkar Mukhtar ke ghar muqeem hue, chand roz ke qayaam se ye andaza laga liya k yaha'n ke aam musalman Hazrat Husain Raz.ki bait ke liye bechen hai'n, Aapne ye dekhkar Hazrat Husain Raz.ke liye baite khilafat shuru kar di, Chand roz me hi sirf Kufa se 18 hazaar musalmano ne Hazrat Husain Raz.ke liye bait kar li, aur ye silsila chalta raha,
⇨ Jab Muslim bin Aqeel ko ye itminan ho gaya k Hazrat Husain Raz.tashreef la'enge to beshak pura Iraaq unki bait ko aa jaega, unhone Hazrat Husain Raz.ke Kufa aane ki dawat de di,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 189
◆══◆══◆══◆══◆══◆
       ▣ 12- Halaat me Inqlaab
◈ Magar ye khat likhe Jane ke baad Kufa se kisi ne ek khat Yazeed ko bhej diya jisme Muslim bin Aqeel ke aane aur Hazrat Husain Raz.ke liye bait lene ka waaq'aa zikr kiya gaya,
⇨ Yazeed ne ek farman nikaal kar Kufa ka Ameer Abdullah bin Ziyaad ko mukarrar kiya aur khat likha k Muslim bin Aqeel ko giraftaar kare aur qatl kare ya Kufa se nikaal de,
▣ 13- Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ka Khat Ahle Basra ke Naam
◈ idhar Hazrat Husain Raz.ka ek khat ahle Basra ke naam pahuncha jiska mazmoon ye tha,
" Aap log dekh rahe hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat mit rahi he aur bid'at felai ja rahi he, me tumhe dawat deta hu k kitabullah aur sunnate Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki hifazat Karo aur uske ahkaam ki tanfeez ke liye koshish Karo, '"
◈ Lekin Jo shakhs khat lekar aaya tha, usko ibne Ziyaad ke saamne pesh kar diya gaya, Ibne Ziyaad ne us qasid ko qatl kar diya aur tamaam ahle Basra ko jama karke kaha,
⇨ " Jo shakhs meri mukhalfat kare me uske liye azaabe aleem hu aur Jo muwafqat kare uske liye raahat hu,"
iske baad Yazeed ka hukm pakar Kufa ke liye rawana ho gaya,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 189
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆
       ▣ 14- Ibne Ziyaad Kufa me
◈ Kufa ke log Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki aamad ke muntzir the aur unme se bahut se log unhe pehchante bhi nahi the,
⇨ Jab ibne Ziyaad kufa pahuncha to to un logo ne yahi samjha k Hazrat Husain Raz.hai'n, wo jis majlis se guzarta ye kehkar istaqbal karte the, Marhaba ya ibne Rasulullah,
⇨ Ibne Ziyaad ye manzar khamoshi se dekhta aur dil me kudta tha k Kufa Per Hazrat Husain Raz. ka pura tasallut ho chuka he, Angle roz subeh ibne Ziyaad ne ahle kufa ko jama karke ek taqreer ki,
▣ 15- Muslim bin Aqeel Raziyallahu Anhu ke Tassuraat
◈ Muslim bin Aqeel Raz. ne  jab ibne Ziyaad ke aane kind khabar suni to unhe khatra hua aur unhone Mukhtar bin Abi Ubed ka ghar chhodkar Hani bin Urva ke makaan per  panah li,
⇨ittefaqan Haani bin Urva bimar hue aur ibne Ziyaad unki bimari ki khabar pakar ayadat ke liye unke ghar pahuncha,Us waqt Umar bin Abd Salvi be kaha k mauka ganimat he k is waqt dushman ( Ibne Ziyaad) tumhare qaabu me he, qatl karado, lekin Haani bin Urva ne kaha k ye sharafat ke khilaf he k me usko apne ghar me qatl karu, 
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 192
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 16- Ahle Haq me aur Ahle Baatil me Farq
◈ Muslim bin Aqeel Raz.se bhi kaha gaya k is faazir ko qatl kar de'n fir Aap mutmain hokar kasre imarat per bethe, magar unhone ye munasib nahi samajhta,
◈ Yaha'n ye baat qabile gor he k Muslim bin Aqeel Raz.ko apni maut saamne nazar aa rahi he aur na sirf apni balki pure khandaan Ahle bait ki maut bhi aur iske saath ek sahi islami maqsad ki nakaami bhi dekh rahe hai'n,
⇨ aur jis shakhs ke haatho ye sab kuchh hone wala he wo is tarah unke saamne he k bethe bethe usko qatl kar sakte hai'n, magar Ahle haq khususan Ahle bait ka johare sharafat aur taqazae itteba e sunnat dekhne aur yaad rakhne ke qaabil he k is waqt bhi unka haath nahi utha,
⇨ yahi ahle haq ki alaamat he k apni har harkat v sukoon aur har qadam per sabse pehle ye dekhte hai'n k Allah ta'aala aur uske Rasool ke nazdeek hamara ye qadam sahi he ya nahi,
▣ 17- Haani bin Urva per Tashaddud v Maar peet
◈ Jab ibne Ziyaad ko Haani ke bare me pata chala k Muslim bin Aqeel Raz.ko panah di he to unko bulwakar Muslim bin Aqeel ko hawale karwane ko kaha, varna tumhe bhi qatl kar denge aur unse shadeed maar peet k gayi,
◈idhar shehar me mashhoor ho gaya k Haani bin Urva ko qatl kar diya gaya, jab ye khabar Umar bin Hijaaj ko pahunchi to wo qabila e mujajij ke bahut se jawano ko lekar mauke per pahunch gaye aur ibne Ziyaad ke makaan ka muhasba kar liya,
Ibne Ziyaad ne Qazi shareeh ko kaha k Aap bahar jaakar logo ko bataye k Haani bin Urva sahi saalim he, qatl nahi kiye gaye, me khud unko dekh kar aaya hu, Unki baat sunkar Umar bin Hijaaj ko itminaan ho gaya aur jawano ko wapas lauta diya,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 192
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣18- Muslim bin Aqeel  Raziyallahu Anhu  ki bebasi
◈ idhar Haani bin Urva ke qatl ki khabar Muslim bin Aqeel Raz.ko mili to wo bhi muqable ke liye taiyaar hokar nikle aur jin 18 hazaar muslmano ne unke haath per Bait ki thi unko jama kiya aur is lashkar ne ibne Ziyaad ke kasr ka muhasra kar liya,
⇨ ibne Ziyaad ke saath kasr me sirf 30 sipahi the aur kuchh khandaan ke sadaat the, ibne Ziyaad ne inme se chand ese logo ko muntkhab kiya jinka asar v rasookh unke qaba'il per tha Jo Muslim bin Aqeel Raz.ke saath shamil the,
⇨ inko kaha gaya k tum bahar jaakar apne apne halka e asar ke logo ko Muslim bin Aqeel ka saath dene se roko, maal, hukumat ka lalach dekar ya hukumat ki saza ka khof dilakar jis tarah bhi mumkin ho inko Muslim bin Aqeel se juda kar do,
◈ Idhar sadaat Shiya ko hukm diya k tum log kasr ki chhat per chadkar logo ko is bagawat se roko, Jab logo ne sadaat Shiya ki zubani baate suni to alag hona shuru ho gaye, Aurte'n apne beto, bhaiyo, shoharo ko wapas le Jane ke liye aane lagi, yaha tak k Muslim bin Aqeel Raz.ke saath sirf 30 log reh gaye aur jab waha se wapas hue to dekha k ek aadmi bhi unke saath nahi tha,to unhe ek Aurat ne apne ghar me panah di,
◈ us waqt ibne Ziyaad apne kasr se utarkar masjid me aaya aur pulis ke afsar ko hukm diya k shehar ke tamaam gali kucho ke darwazo per pehra laga do koi bahar na ja sake aur sab gharo ki talashi lo,
◈ idhar jab Aurat ke ladko ko talashi ka pata chala to unhone khud Muslim bin Aqeel Raz.ki khabar de di aur 70 sipahiyo ne unhe gher liya,unhone sabka muqabla kiya, is muqable me zakhmi ho gaye lekin unke bas me na aaye, log chhat per Chad kar un per patthar barsane lage, aur ghar me aag laga di,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 196
   ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 19- Muslim bin Aqeel Raz.ki giraftari
◈ Muhammad bin Asas ne pukaar kar kaha k me Aapko aman deta hu, apni jaan halakat me na dalo,
Muslim bin Aqeel Raz.tane tanha 70 sipahiyo ka muqabla karte hue zakhmo se choor choor hokar thak kar ek diwar ke sahare tik gaye, aur unki aankho se aansu beh nikle, farmaya,
" Me apni jaan ke liye nahi rota hu balki Husain Raz.aur aale Husain ki jaano ke liye ro raha hu'n, Jo meri tehreer per anqareeb kufa pahunchne wale hai'n, kam se kam meri ek baat maan lo k ek aadmi Husain Raz.ke paas foran rawana kar do Jo unko meri haalat ki ittela karke ye kahe k Aap raaste se hi lot jaye, kufa walo ke khutoot se dhokha na khaye, ye wahi log hai'n jinki bewafai se pareshan hokar Aapke walid apni maut ki tamanna kiya karte the,"
⇨Muhammad bin As'as ne vaada kiya aur vaade ke mutabik ek aadmi khat dekar  Hazrat Husain Raz.ko rokne ke liye rawana kar diya, Jis waqt ye qaasid unke paas pahuncha us waqt Hazrat Husain Raz.makaame Ziyala tak pahunch chuke the, khat padkar Aapne farmaya,
" Jo cheez ho chuki he wo hokar rahegi, hum sirf Allah ta'aala se apni jaano ka sawaab chahte hai'n aur ummat ke fasaad ki faryaad karte hai'n,"
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 196
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 20- Muslim bin Aqeel Raz.ki Shahadat aur Vasiyat
◈ Muslim bin Aqeel Raz.pehle hi samajhte the k Muhammad bin As as ka amaan dena koi cheez nahi, ibne Ziyaad mujhe qatl karega,
Unhone kaha k ,
" mujhe vasiyat karne ki mohlat do, "
ibne Ziyaad ne mohlat de di, aur unhone Amr bin Sa'ad se kaha k
"mere aur aapke darmiyan qarabat he aur me is qarabat ka vaasta dekar kehta hu'n k mujhe tumse ek kaam he, Jo raaz he wo me tanhai me bata sakta hu'n, "
◈ Alhida hokar Muslim bin Aqeel Raz.ne kaha k kaam ye he k mere zimme 700 dirham qarz he Jo mene kufa me fala aadmi se liye the wo meri taraf se Ada kar do,
→doosra kaam ye he k Husain Raz.ke pass ek aadmi bhej kar unko raaste se wapas kar do,
◈ Amr bin Sa'ad ne ibne Ziyaad se vasiyat puri karne ki ijazat chahi to usne kaha, beshak Ameen aadmi kabhi khayanat nahi karta, tum inka qarz Ada kar sakte ho baqi raha Husain Raz.ka maamla so agar wo hamare muqable ke liye na aaye to hum bhi unke muqable ke liye nahi ja'enge, aur wo aaye to hum bhi muqabla karenge,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 200
▣ 21- Muslim bin Aqeel Raz. aur ibne Ziyaad ka maamla
◈ Ibne Ziyaad ne kaha,
Ey Muslim!  Tune bada zulm kiya k musalmano ka nazam ek kalma tha, sab ek imaam ke taabe the, tumne aakar inme tafarruqa daala aur logo ko apne Ameer ke khilaf bagawat per aamada kiya, "
⇨ Muslim bin Aqeel Raz.ne farmaya, k
" maamla ye nahi he balki is shehar kufa ke logo ne khutoot likhe k tumhare baap ne inke nek aur shareef logo ko qatl kar diya, unka khoon nahaq bahaya aur yaha ke awaam per kisra v qaisar jesi hukumat karni chahi, isliye hum majboor hue k adal qaa'im karne aur kitaab sunnat ke ahkaam nafiz karne ki taraf logo ko bulaye aur samjhaye, "
⇨Is per ibne Ziyaad aur zyada bigad gaya, uske hukm ke muwafiq unko shaheed karke niche daal diya gaya,
( inna lillahi va inna ilayhi raajioun )
◈ Hazrat Muslim bin Aqeel Raziyallahu anhu ko qatl karne ke baad Haani bin Urva ko bazaar me lejakar qatl kiya gaya,
⇨Ibne Ziyaad ne in dono ke sar kaat kar Yazeed ke paas bhej diye,
⇨ Yazeed ne shukriya ka khat likha k mujhe ye khabar mili he k Husain Raz. Iraaq ke qareeb pahunch gaye hai'n, isliye jasoos saare shehar me fela do aur jis per zara bhi Husain Raz.ki taa'id ka shubha ho usko qaid kar lo magar Siva uske Jo tumse muqabla kare kisi ko qatl na Karo,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 200
   ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 27- Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ka Kufa Jane ka Azm
◈ Hazrat Husain Raz.ke pass ahle Kufa ke 150 khutoot aur bahut se vafood pehle pahunch chuke the,
→ fir Muslim bin Aqeel Raz.ne 18 hazaar muslmano ki bait ki khabar ke saath unhe kufa aane ki dawat de di thi, to Hazrat Husain Raz.ne kufa Jane ka azm kar liya,
→ lekin jab ye baat mashhoor hui to bajuz Abdullah bin Zubair Raz.ke aur kisi ne bhi kufa Jane ka mashwara nahi diya, bahut se hazraat aapki khidmat me hazir hue aur ahle Kufa v Iraaq ke vaado, baito per bharosa na karne ka aur waha Jane me bada khatra hone ka mashwara diya,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 201
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 23- Hazrat Abdullah ibne Abbas Raziyallahu Anhu ka Mashwara
◈ Ibne Abbas Raz.ko jab Hazrat Husain Raz.ke iraade ki khabar hui to tashreef laye aur farmaya,
" Bhai me isse aapko khuda ki panah me deta hu'n, Khuda ke liye Aap mujhe ye batae k Aap kisi esi qaum ke liye ja rahe hai'n jinhone apne ouper musallat hone wale Ameer ko qatl kar diya
• aur wo log apne shehar per qaabiz ho chuke hai'n aur apne dushmano ko nikaal chuke hai'n to beshak aapko unke bulawe per foran chale Jana chahiye, "
→Hazrat Husain Raz.ne iske jawab me farmaya,
" Achchha me Allah se istkhara karta hu'n, fir Jo kuchh samajh me aa'ega amal karunga, "
◈ Doosre roz ibne Abbas Raz.fir tashreef laye aur farmaya,
→ " bhai me sabr karna chahta hu'n magar sabr nahi hota, mujhe aapke is qadam se halakat ka sakht khatra he, Ahle Iraaq bewafa ahad shikan log hai'n,
→Aap unke paas na jaye, Aap ahle hijaaj ke Muslim rehnuma aur sardaar hai'n aur agar ahle Iraaq aapse mazeed taqaza kare to aap unko likho k pehle Ameer v Hukkam ko apne shehar se nikaal do fir mujhe bulao,
→• mere bhai agar aap Jana hi taiy kar chuke hai'n to khuda ke liye aurto'n aur bachcho ko saath na le jaye, mujhe khof he k kahi aap isi tarah apni aurto'n aur bachcho ke saamne qatl kiye jaye jis tarah Hazrat Usman Raz.qatl kiye gaye,"
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 201
            ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 24- Hazrat Husain Raz.ki Kufa rawangi
◈ Hazrat Husain Raz. apne nazdeek ek deeni zarurat samajhkar khuda ke liye azm kar chuke the,
◈ Mashwara dene walo ne unko khatraat se aagah kiya magar maqsad ki ahmiyat ne unko khatraat ka muqabla karne ke liye majboor kar diya,
◈ Aur Zilhijja 60 ki 3 ya 8 tareekh ko aap rawana ho gaye us waqt Yazeed ki taraf se Makka ka hakim Amr bin Sa'ad bin Aas muqarrar tha,
→ usko unki rawangi ki khabar mili to chand aadmi raaste per unko rokne ke liye bheje,
→ lekin Hazrat Husain Raz.ne waapsi se inkaar farmaya aur aage bad gaye,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 
      ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 25- Farzooq Sha'ir se Mulaqat ▣
◈ Raaste me Farzooq Sha'ir Iraaq ki taraf se aata hua mila, Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ne usse puchha,
ahle Iraaq ko tumne kis haal me chhoda,
Farzooq ne jawab diya
'" Ahle Iraaq ke quloob to aapke saath he magar unki talware bani umaiya ke saath he aur taqdeer aasman se naazil hoti he aur Allah ta'aala Jo chahta he karta he,"
◈ Hazrat Husain Raz.ne farmaya,
" tum sach kehte ho, Allah hi ke haath me tamaam kaam he wo Jo chahta he karta he aur hamara rab har roz ek nayi shaan me he, Agar taqdeer ilaahi hamari muraad ke muwafik hui to hum Allah ka shukr karenge aur shukr karne me bhi unhi ki i'aanat talab karte hai'n k adae shukr ki tofeeq de aur agar taqdeer ilaahi hamari muraad me haa'il ho gayi to wo shakhs khata per nahi jiski niyat haq ki himayat ho aur jisse dil me khof e khuda ho, "
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 203
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 26- Hazrat Husain Raz.ka khwab aur Azm ki vajah
◈ Hazrat Abdullah bin Jaafar Raz.ne jab Hazrat Husain Raz.ki rawangi ki khabar suni to apne beto ko khat dekar tezi se rawana kiya k unhe raaste me hi rok do,
•→ ye khat likhkar pehle Abdullah bin Jaafar Raz.Yazeed ki taraf se wali e Makka Amr bin Sa'ad ke paas tashreef le gaye aur unse vaada e tehreer likhwaya k wapas aa jaye to unke saath Makka me achchha sulook kiya jaega,
◈ Jab ye khat Hazrat Husain Raz.ke pass pahuncha to us waqt aapne apne azm ki ek aur vajah bayaan ki mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me dekha
→aur mujhe Aap Sallallahu Alaihivasallam ki taraf se ye hukm diya gaya he, me is hukm ki baja aawri ki taraf ja raha hu'n, chahe mujh per kuchh bhi guzar jaye,
Unhone puchha k khwab kya he?
Farmaya k " Aaj tak mene wo khwab kisi se bayan nahi kiya he, na karunga yaha tak k me apne parvardigar se ja milu,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 203
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 27- Kufa walo ke Naam Hazrat Husain Raz.ka Khat
◈ Hazrat Husain Raz.jab maqaam e Haajir per pahunche to ahle Kufa ke naam ek khat likh kar Hazrat Qais ke haath rawana kiya,
⇨ khat me apne aane ki ittela aur jis kaam ke liye unko ahle Kufa ne bulaya tha usme puri koshish karne ki hidayat thi,
◈ Hazrat Qais jab ye khat lekar Qaadsiya tak pahunche to waha unko giraftar kar Ibne Ziyaad ke paas bhej diya gaya,
⇨Ibne Ziyaad ne unko hukm diya k kasre imarat ki chhat se ( m'aazallah) Hazrat Husain Raz.per Sab v Shitam aur laan taan kare,
→ magar Hazrat Qais ne buland awaaz se Hazrat Husain Raz.ke aane ka maqsad ko bayaan kar diya,
⇨ isse naraaz hokar ibne Ziyaad ne unko kasr ki bulandi se fek dene ka hukm diya aur Hazrat Qais shaheed kar diye gaye,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 203
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 28- Muslim bin Aqeel Raz.ke qatl ki khabar pakar Hazrat Husain Raz.ka sathiyo se mashwara
◈ Raaste me ek padaav per achanak Abdullah bin Mati'a se mulaqaat hui, unhone bhi kaha,
," A ibne Rasulullah !  Me aapko Allah ka aur izzate islam ka vaasta dekar kehta hu k Aap is iraade se ruk jaye,
→Aap agar banu umaiya se unki iqtdaar ko lena chahenge to wo Aapko qatl kar denge, Aap esa hargiz na kare, Aap kufa na jaye, "
⇨ magar Hazrat Husain Raz.ne apna iraada nahi badla,
◈ Maqaame Sa'albiya me pahunchkar Aapko Muslim bin Aqeel Raz.ke qatl ki khabar mili Jo Muhammad bin As as ke bheje hue qasid ne di,
⇨ye khabar sunkar Aapke baaz saathiyo ne bhi aapse wapas laut Jane ka israar kiya, magar Banu Aqeel josh me aa gaye aur kehne lage k hum Muslim bin Aqeel Raz.ka badla lenge ya unki tarah jaan de denge,
→ Baaz saathiyo ki ye raay thi k Aap Muslim bin Aqeel Raz.nahi hai'n, Aapki shaan kuchh aur he, Hume ummeed he jab Ahle Kufa Aapko dekhenge to Aapke saath ho jaa'enge,
◈ Yaha'n tak k fir aage badna tai karke safar kiya gaya aur Maqaame Ziyala pahunch kar padaav dala,
⇨ Yaha'n ye khabar mili k Aapke razai bhai Abdullah ibne laqeet jinko raaste se Muslim bin Aqeel Raz.ki taraf bheja gaya tha unko bhi qatl kar diya gaya,
→is khabar ke baad Hazrat Husain Raz.ne apne saathiyo ko jama karke farmaya,
" Ahle Kufa ne hume dhokha diya he, Ab jiska ji chahe wapas ho jaye,me kisi ki zimmedari apne sar lena nahi chahta "
◈ is elaan ke baad raaste se saath hone wale log sab chal diye aur ab Hazrat Husain Raz.ke saath sirf wahi log reh gaye Jo Makka se unke saath the,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 206
            ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 29-Ibne Ziyaad ki taraf se Har bin Yazeed Ek Hazaar ka Lashkar lekar Pahuncha
◈ Raaste me dopahar ke waqt door se ghudsawar fauj nazar aayi,
⇨ye dekh kar Hazrat Husain Raz.aur unke saathiyo ne ek pahaad ke nazdeek pahunch kar muhaaz jung banane me masroof hi the k Har bin Yazeed ki fauj muqable per aa gayi,
→Hazrat Husain Raz.ne apne saathiyo se farmaya, khoob paani pikar aur ghodo ko pilakar sairaab ho jao,
◈ Yaha'n Namaze zuhar ka waqt aa gaya aur sab namaz ke liye jama ho gaye, Hazrat Husain Raz.ne fareeq muqabil ko sunane ke liye ek taqreer farmai,
⇨Taqreer sunkar  sab khamosh rahe, Hazrat Husain Raz.ne namaz ke liye aqaamat kehne ka hukm diya aur Har bin Yazeed se farmaya, Tum apne lashkar ke saath alag namaz padoge ya humare saath,
" Har ne kaha, k nahi hum sab Aapke pichhe namaz padenge, Hazrat Husain Raz.ne namaz zuhar padaai aur apni jagah tashreef le gaye,
◈ Fir namaze Asar bhi Aapne padai aur sab shareek hue, Asar ke baad Aapne ek khutba diya,jisme apne aane ka maqsad bayaan kiya,
◈ Har bin Yazeed ne kaha k hume khutoot aur vafood ki koi khabar nahi,,
⇨ Aapne 2 thele Jo khutoot se bhare hue the aur un logo ke saamne udel diye,
→Har bin Yazeed ne kaha k,
" beharhaal hum in khutoot ke likhne wale nahi hai'n, Hume ameer ki taraf se ye hukm mila he k hum Aapko us waqt tak na chhode jab tak ibne Ziyaad ke paas kufa na pahuncha de, "
⇨ Hazrat Husain Raz.ne jawab diya,
"  isse to maut behtar he, "
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 206
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 30- Har bin Yazeed ka Aitraaf ▣
◈ Har bin Yazeed ne Hazrat Husain Raz.se kaha k,
" mujhe aapke qitaal Ka hukm nahi diya gaya he balki me aapse us waqt tak juda na hou jab tak aapko kufa na pahuncha du,
isliye Aap esa kar sakte hai'n k koi esa raasta akhtyar kare Jo na kufa pahunchaye na Madina, Yaha tak k me ibne Ziyaad ko khat likhu aur Aap bhi Yazeed ko ya ibne Ziyaad ko likhe,
Shayad Allah ta'aala mere liye koi esa mukhlis paida kar de k me aapke muqable aur aapki iza se bach jau,
◈ Isliye Hazrat Husain Raz.ne Azeeb aur Qadsiya ke raaste se baayi janib chalna shuru kar diya aur Har bin Yazeed bhi laskar ke saath chalta raha, is dauran Hazrat Husain Raz.ne teesra khutba diya,
◈ Har bin Yazeed kuchh to pehle se ahle bait ka ahatram dil me rakhta tha kuchh Aapke khutbo se mutassir ho raha tha,
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 209
          ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 31- Tirmah bin Adi ka mashvara
◈ isi haal me 4 aadmi kufa se Hazrat Husain Raz.ke madadgar pahunche jinka sardar Tirmah bin Adi tha,
⇨ Har bin Yazeed ne chaha k unhe giraftar kare ya kufa wapas kar de,  magar Hazrat Husain Raz.ne farmaya k ,
" ye mere madadgar aur rafeeq hai'n, inki esi hi hifazat karunga jesi apni jaan ki, Har bin Yazeed ne unko ijazat de di,"
◈ Hazrat Husain Raz.ne in logo se kufa ka haal daryaft kiya, unhone bataya k,
" Kufa ke bade bade sardaro ko badi badi rishwate de di gayi he, ab wo sab aapke mukhalif hai'n, albatta awaam ke quloob aapke saath hai'n ,
→ magar iske bavjood jab muqabla hoga to talwaare unki bhi aapke muqable per aa'engi,
→me dekhta hu'n aapke saath to koi kuvvat aur jama'at nahi, me kufa se nikalne se pehle itna bada lashkar dekh chuka hu'n Jo isse pehle meri aankh ne na dekha tha,
⇨ me aapko khuda ki qasam deta hu'n Aap ek balisht bhi unki taraf na bade, Aap mere saath chale, Aapko apne pahada aaja me thehraunga Jo nihayat mehfooz qila jesa he, fir aaja aur salmi do no pahadi kabile ke log aapki madad ko aa jaa'enge,
→ Is waqt agar aapki raay muqable ki hi he to me aapke liye 20 hazaar bahadur sipahiyo ka jimma leta hu'n,
◈ Hazrat Husain Raz.ne farmaya,
" Allah ta'aala aapki qaum ko jaza e khair de, magar hamare aur Har bin Yazeed ke darmiyan ek baat Tai ho chuki he, ab uske paband hai'n aur hume kuchh pata nahi k humare saath kya hone wala he,"
◈ Tirmah bin Adi rukhsat ho gaye aur apne saath samaane rasad lekar dobara aane ka vaada kar gaye, aur fir aaye bhi magar raaste me Hazrat Husain Raz.ki Shahadat ki galat khabar sunkar lot gaye,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 209
          ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 32- Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ka Khwab ▣
◈ Nasr bani Muqatal per per pahunch kar aapko zara ganudgi hui to " inna lillah" kehte hue bedaar hue,
⇨Aapke Sahabzade Ali Akbar Raz.ne suna to ghabrakar saamne aaye,
puchha Abba jaan kya baat he?
Aapne farmaya,
"  mene khwab me dekha koi ghudsawar mere pass aaya aur usne kaha k kuchh log chal rahe hai'n aur unki maut unke saath chal rahi he, isse me samjha k ye hamari maut ki khabar he, "
→Sahabzade ne arz kiya, Kya hum haq per nahi he?
Farmaya -
" Qasam us zaat ki jiski taraf sab bandgane khuda ka ruju'a he bila subha hum haq per hai'n, "
→ Arz kiya -
"Fir hume kya dar he jab k hum haq per mar rahe  hai'n, "
◈ Hazrat Husain Raz.ne unhe shabash di,
farmaya -
" Allah ta'aala tumko jaza e khair ataa kare tumne apne baap ko sahi haq ada kiya, "
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 209
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 33- Ashabe Husain Raz. Ka iraada e qitaal aur Hazrat Husain Raz. Ka Jawab k me Qitaal nahi karunga
◈ Maqaame Nenvi per ek sawaar Har bin Yazeed ke liye ek khat lekar aaya jisme likha tha k Jis waqt tumhe mera ye khat mile tum Husain ( raz.) Per maidan tang kar do,
→ aur unko ese khule maidan ki taraf le jao jaha paani na ho,
→aur mene qasid ko hukm diya he k jab tak mere is hukm ki tameel na kar do tumhare saath rahega, "
◈ Har bin Yazeed ne ye khat Hazrat Husain Raz.ko bhi suna diya k is waqt mere sar per jasoos musallat he, me is waqt koi masalhat nahi kar sakta,
◈ Us waqt Zubair bin Alqeen Raz.ne arz kiya k ,
" har aane wali ghadi ek mushkilaat me izaafa kar rahi he, aur hamare liye is lashkar se qitaal karna asaan he banisbat uske Jo iske baad aaega, "
◈ Hazrat Husain Raz.ne farmaya,
"  me qitaal me pehal nahi karna chahta,"
Zubair Raz.ne kaha k,
" Aap qitaal me pahal na kare balki hume us basti me le jaye Jo hifazat ki jagah ho aur dariya e faraat ke kinare per ho, is per agar ye log hume waha Jane se roke to hum qitaal kare, "
⇨ Aapne puchha,
"  ye konsi jagah he? "
Kaha gaya," Aqar he, "
Aapne farmaya ,
"me Aqar se panah maangta hu'n, "
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 213
          ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 34- Amr bin Sa'ad ka lashkar aur Paani band karne ka hukm ▣
◈ Ibne Ziyaad ne Amr bin Sa'ad ko majboor karke fauj ke saath muqable ke liye bhej diya,
⇨Amr bin Sa'ad ne aakar Hazrat Husain Raz.se Kufa aane ki vajah puchhi,
→ Aapne saara kissa bayaan kiya aur farmaya,
" agar ab bhi unki raay badal gayi he to me wapas Jane ke liye taiyaar hu'n,"
◈ Amr bin Sa'ad ne ibne Ziyaad ko is mazmoon ka khat likha k Husain ( raz ) wapas Jane ko taiyaar hai'n,
⇨ Ibne Ziyaad ne jawab diya k ,
" Husain ( raz.) ke saamne sirf ek baat rakho k Yazeed ke haath per Bait kare, Jab wo esa kare to fir hum gor karenge k unke saath kya maamla kiya jaye,"
→ aur Amr bin Sa'ad ko hukm diya k un per paani band kar do,
◈ aur paani band kar diya gaya, ye waaq'aa Shahadat se 3 din pehle ka he, yaha tak k jab ye sab hazraat pyas se pareshan ho gaye to Hazrat Husain Raz.ne apne bhai Abbas bin Ali Raz.ko 30 pyado ke saath paani lene bheja,
⇨ Paani lane per Amr bin Sa'ad ki fauj se muqabla bhi hua, magar 20 mashke paani bhar laye, iske baad Amr bin Sa'ad ke paas baat cheet ka paigam bheja,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 213
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 35- Hazrat  Husain Raz. Ka irshad k 3 baato me se koi ek akhtyar kar lo,▣
◈ Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ne farmaya k,
" humare bare me Aap 3 surato me se koi akhtyar kar lo,
→•1- me jaha se aaya hu'n wahi wapas laut jau,
→••2- ya me Yazeed ke paas pahunch jau aur khud usse apna maamla Tai kar lu,
→•3- ya mujhe musalmano ki kisi sarhad per pahunchado Jo haal waha ke aam logo ka hoga me usi me basar kar lu,
⇨( Baaz ulema ne akhri 2 surato ka inkaar kiya he)
◈ Amr bin Sa'ad ne ye sunkar fir ibne Ziyaad ke paas khat likha k,
" Allah ta'aala ne jung ki aag bujha di aur musalmano ka kalma muttafiq kar diya,
mujhe Hazrat Husain Raz.ne 3 surato ka akhtyar diya he aur zaahir he inme aapka maqsad pura hota he aur ummat ki isme salaah v falaah he, "
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 213
          ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 36-Ibne Ziyaad ka Sharto ko Qubool karna aur Shimar ka inkaar
◈ Ibne Ziyaad bhi Amr bin Sa'ad ke is khat se mutassir hua aur kaha k,
," ye khat ek ese Aadmi ka he Jo Ameer ki itaat bhi chahta he aur apni qaum ki aafiyat ka bhi khwahishmand he, humne ise qubool kar liya,"
◈ Shimar Ziljoshan ne kaha k ,
" kya Aap Husain( raz.) Ko mohlat dena chahte hai'n k kuwwat hasil karke fir tumhare muqable per aaye, wo agar aaj tumhare haath se nikal gaye to fir kabhi un per qaabu na pa sakoge,
→ Aap unhe majboor kare k wo aapke paas aaye fir chahe aap saza de ya maaf kare, "
◈ Ibne Ziyaad ne Shimar ki raay qubool karke Amr bin Sa'ad ko isi mazmoon ka khat khud Shimar ke haath bheja aur ye hidayat di k,
" agar Amr bin Sa'ad hukm ki tameel foran na kare to use qatl kar diya jaye aur uski jagah tum khud lashkar ke Ameer ho, "
⇨ Shimar ko rawana hone se pehle khayal aaya k Hazrat Husain Raz.ke saathiyo me uske fufizaad bhai bhi hai'n, ibne Ziyaad se unke liye amaan liya aur rawana ho gaya,
◈ 9 Muharram ki tareekh ko jab Shimar khat lekar pahuncha to Amr bin Sa'ad sab samajh gaya k ye sab surat Shimar ki vajah se pesh aayi he, kaha k ,
" tumne bada zulm kiya, musalmano ka kalma muttafiq ho raha tha usko khatm karke qatl v qitaal ka bazaar garm kar diya,"
◈ jab Hazrat Husain Raz.ko ye pegaam pahunchaya gaya to Aapne isko qubool karne se inkaar kar diya k is zillat se maut behtar he,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 213
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 37- Hazrat Husain Raz.ka Huzur Sallallahu Alaihivasallam ko Khwab me dekhna ▣
◈ Hazrat Husain Raziyallahu Anhu apne kheme me bethe the k isi haalat me kuchh oungh aakar aankh band ho gayi k ek awaaz ke saath bedaar hue,
⇨ Aapki hamshira Hazrat Zenab Raz.dodi aayi to farmaya k ,
" mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me dekha farmaya k ab hamare paas aane wale ho, "
◈ Hamshira ye sunkar rone lagi, Hazrat Husain Raz.ne unhe tasalli di,
→ isi haalat me Shimar lashkar lekar saamne aa gaya aur bila mohlat qitaal ka elaan sunaya,
⇨ Hazrat Husain Raz.ne ek raat ki mohlat maangi k me aaj ki raat vasiyat aur namaz aur dua v astagfaar kar saku,
→Shimar ne mashwara karke mohlat de di,
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 213
          ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 38- Hazrat Husain Raz. Ki Taqreer
◈ Hazrat Husain Raz.ne apne ahle bait aur ashaab ko jama kiya aur ek khutba diya jisme Hamd v sana, Darood v Salaam ke baad farmaya k,
" Me samajhta hu'n kal hamara akhri din he, me aap sabko khushi se ijazat deta hu'n k sab is raat ki tareeki me mutfarriq ho jao aur jaha panah mile chale jao aur mere ahle bait me se ek ek ka haath pakad lo aur mukhtalif ilaaqo me fel jao,
→  kyuki dushman mera talabgar he, wo mujhe pa'ega to doosro ki taraf iltfaat na karega, "
◈ Ye taqreer sunkar Aapke bhai, aulaad,  bhaiyo ki  aulad, aur Abdullah bin Jaafar Raz.ki aulad, Banu Aqeel sab ek awaaz hokar bole,
" wallah hum hargiz na ja'enge, hume Allah ta'aala aapke baad baaqi na rakhe, "
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 213
◆══◆══◆══◆══◆══◆
       ▣ 39- Ahle bait ko Vasiyat
◈ Hazrat Husain Raz. ne apni hamshira Hazrat Zenab Raz.aur ahle bait ko vasiyat ki,
" me tumhe khuda ki qasam deta hu'n k tum meri shahadat per tum na kapde faadna, aur seena kubi vagera hargiz na karna, awaaz se rone aur chillane se bachna, "
⇨ ye vasiyat karke Aap aur tamaam ashaab Shabe Tahajjud aur Dua v Astagfaar me mashgool ho gaye,
◈ Ye ashura ki raat thi aur subeh ko Yome AshUra aur roze Juma tha,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 214
          ◆══◆══◆══◆══◆══◆
40 - Har bin Yazeed Hazrat Husain Raz.ke saath
◈ Subeh namaz se farig hote hi Amr bin Sa'ad lashkar lekar saamne aa gaya, Hazrat Husain Raz.ke saath us waqt 72 ashaab the, 30 sawaar the aur 40 pyade the, Aapne bhi muqable ke liye safbandi farmai,
◈ Amr bin Sa'ad ne apne lashkar ko 4 hisso me taqseem karke har hisse ka ek Ameer banaya tha, unme ek hisse ka Ameer Har bin Yazeed tha,
→ ( Jo sabse pehle ek hazar ka lashkar lekar bheja gaya tha, aur Hazrat Husain Raz.ke saath saath chal raha tha, aur unke khutbo se mutassir ho chuka tha, uske dil ahle bait athaar ki muhabbat ka jazba bedaar ho chuka tha,)
→Apna ghoda dodakar Hazrat Husain Raz.ke lashkar me aa mila aur arz kiya,
" mujhe andaza nahi tha k ye log aapke khilaf is had tak pahunch ja'enge, agar me jaanta to hargiz aapko na rokta, ab meri saza yahi he k me aapke saath qitaal karta hua apni jaan de du, "
aur esa hi hua,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 216
          ◆══◆══◆══◆══◆══◆,
▣ 41- Dono lashkaro ka Muqabla aur Hazrat Husain Raz. Ka Khitaab
◈ Hazrat Husain Raz.ghode per sawaar hue aur aage badkar ba awaaz buland farmaya,
" logo meri baat suno, zaldi na Karo, taki me haq nasihat kar du Jo mere jimme he aur taki me apne yaha aane ki vajah bata du, fir agar tum mera uzr qubool Karo aur meri baat ko sachcha jano aur mere saath insaaf Karo to isme tumhari falaah v sa'aadat he aur fir tumhare liye mere qitaal ka koi raasta nahi, aur agar mera uzr qubool na Karo to tum sab milkar muqarrar Karo apna kaam aur jama karlo apne shareeko ko k na rahe tumko apne kaam me shubha, fir kar guzro mere saath aur mujhe mohlat na do,
→( Ye wahi alfaaz hai'n Jo Hazrat Nooh Alaihissalam ne apni qaum se kahe the)
◈ Hazrat Husain Raz.ke ye alfaaz behno aur aurto'n ke kaano me pade to jabt na kar saki, rone ki awaaze buland ho gayi,
→Hazrat Husain Raz.ne apne bhai Abbas Raz.ko bheja k inko nasihat karke khamosh karaye, aur us waqt farmaya,
" Allah ta'aala ibne Abbas per raham farmaye, unhone sahi kaha tha k aurto'n ko saath na le jao, "
◈ Hamd v Sana ke baad farmaya,
" Ey  logo.! tum mera nasab dekho me kon hu'n, fir apne dilo me gor Karo k kya ye tumhare liye jaa'iz he k tum mujhe qatl Karo? Kya me tumhare Nabi Sallallahu Alaihivasallam ki Sahabzadi ka beta nahi hu'n? Kya me us baap ka beta nahi hu'n Jo Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka chachazad bhai wasi ul momineen billah tha,? Kya Sayyadul Shohda  Hazrat Hamza Raz.mere baap ke chacha nahi? Kya Jaafar Tayaar mere chacha nahi?
→Kya tumhe ye hadees mashoor nahi pahunchi k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne mujhe aur mere bhai Hasan ko Saiyada Shabab Ahlal Jannat aur apni aankho ki thandak farmaya?
Agar tumhe meri baat ka yaqeen nahi to tumhare andar ese log mojood hai'n jinse iski tasdeek ho sakti he,
Kya ye cheeze tumhare liye mera khoon bahane se rokne ke liye kafi nahi he, Mujhe batao k mene kisi ko qatl kiya he k jiske qasaas me mujhe qatl kar rahe ho, ya mene kisi ka maal luta he ya kisi ko zakhm diya he,"
◈ iske baad Hazrat Husain Raz.ne kufa ke bade sardar logo ka naam lekar pukara,
" A Sheesh bin Rabi, A Hijaz bin Jahra,  A  Qais bin Ashas, A  Zaid bin Haris kya tum logo ne mujhe bulane ke liye khutoot nahi likhe?"
◈ Ye sab log mukar gaye k humne nahi likhe,
Hazrat Husain Raz.ne farmaya,
" mere pass tumhare khutoot mojood hai'n,
iske baad farmaya,
" Ey   logo agar tum mera aana pasand nahi karte to mujhe chhod do, me kisi esi zameen me chala jaunga jaha mujhe aman mile, "
→Qais bin Ashas ne kaha k,
" Aap apne chachazad bhai ibne Ziyaad ke hukm per kyu nahi utar aate, wo fir aapke bhai hai'n Aapke saath bura sulook nahi karenge, "
Hazrat Husain Raz. ne farmaya,
" Muslim bin Aqeel Raz.ke qatl ke baad bhi tumhari yahi raay he? Wallah me isko kabhi qubool nahi Kari karunga, "
◈ iske baad Hazrat Zubair bin Alqeen  Raz. ne nasihat ki k apni is harkat se baaz aa jao Zalimo ab bhi hosh me aao, Fatma Raz.ka beta Sumaiya ke bete ( ibne Ziyaad) se zyada muhabbat v ikraam ka mustahiq he, "
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 216
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆
      ▣ 42- Shimar ka pehla Teer
◈ Jab guftgu taveel hone lagi to Shimar ne pehla teer chala diya,
→ Jab Har bin Yazeed ne khitaab kiya to un per bhi teer feke gaye,
◈ iske baad teerandazi ka silsila shuru ho gaya, dushmano ke bhi kaafi aadmi maare gaye, Hazrat Husain Raz.ke rafqaa bhi baaz shaheed ho gaye,
◈ Ghamasan ki jung hui, ghode chhod kar pyade aa gaye, Ab dushmano ne khemo me aag lagana shuru kar diya,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 222
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 43- Ghamasaan me Namaze Zuhar ka Waqt  ▣
◈ Hazrat Husain Raz.ke aksar ashaab shaheed ho chuke the aur dushmano ke daste Hazrat Husain Raz.ke qareeb pahunch chuke the,
→Abu Shamama Sa'adi ne arz kiya k,
" meri jaan aap per qurban ho me chahta hu k aapke saamne qatl kiya jau, lekin dil ye chahta he k Zuhar ka waqt ho chuka he, ye namaz ada karke parvardigar ke saamne jau,
◈ Hazrat Husain Raz.ne awaaz buland karke farmaya, ,
" Jung multavi karo yaha tak k hum namaz pad le, "
Esi ghamasaan jung me kon sunta aur Abu Shamama isi haalat me shaheed ho gaye,
⇨ unke baad Hazrat Husain Raz.ne apne chand ashaab ke saath namaze Zuhar salatul khof ke mutabik Ada ki, Namaz ke baad fir qitaal shuru hua, Har koi chahta tha k me Hazrat Husain Raz.ke saamne pehle shaheed ho jau, isliye har shakhs nihayat shiddat v shuja'at se muqabla kar raha tha,
→Hazrat Husain Raz.ke bade sahabzade Hazrat Ali Akbar Raz.ye sher padte hue aage bade,
⇨ ( Tarjuma )
" Me Husain bin Ali Raz.ka beta hu'n, Qasam he rabbul bait ki hum Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke qareebtar hai'n, "
→ Kambakht Murrah bin Munqaz ne unko neza maarkar gira diya aur unki laash ke tukde tukde kar diye,
→Amr bin Sa'ad ne Hazrat Qasim bin Hasan Raz.ke sar per talwaar maari, Hazrat Husain Raz.ne daudkar unko sambhala, aur Amr per talwaar se hamla kiya jisse kuhni se uska haath kat gaya, Aapne apne bhatije ki laash ko uthaya aur apne bete aur doosre ahle bait ki laasho ke paas lita diya,
◈ Hazrat Husain Raz.taqreeban tanha beyaar v madadgar reh gaye lekin unki taraf badne ki kisi ko himmat na thi, Hazrat Husain Raz.ke qatl aur uske gunah ko apne sar koi lena nahi chahta tha,
Yaha tak k qabila kundah ka ek shaqi ul qalb Malik bin Naseer aage bada aur Hazrat Husain Raz.ke sar per talwaar se hamla kiya, Aap shadeed zakhmi ho gaye, apne chhote bete Abdullah Raz.ko bulaya aur apni god me betha liya,
Bani Asad ke ek badnaseeb ne unko bhi teer maar kar shaheed kar diya, Hazrat Husain Raz.ne us masoom bachche ka khoon lekar zameen per bikher diya aur dua ki,
" Ya Allah ! Tu hi in zalimo se humara inteqam le, "
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 222
        ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 44- Hazrat Husain Raz. Ki Shahadat
◈ Us waqt aapki pyaas had tak pahunch chuki thi, Aap paani pine ke liye dariya e faraat ke qareeb tashreef le gaye ,
→Zalim Husen bin Nameer ne aapke moonh per nishana karke Teer feka Jo aapko laga aur dahan Mubarak se khoon jaari ho gaya,
inna lillahi va inna ilayhi raajioun,
◈ Shimar 10 Aadmiyo ko lekar Hazrat Husain Raz.ki taraf bada, Shadeed pyas aur zakhmo ke bavjood aap unka dilerana muqabla kar rahe the aur jis taraf Aap badte ye bhagte nazar aate,
⇨ Shimar ne jab ye dekha k Hazrat Husain Raz.ke qatl karne se har shakhs bachna chahta he to awaaz di k sab ek saath hamla Karo, is per bahut se badnaseeb aage bade, nezo aur talwaro se ek saath hamla kiya aur ye ibne Rasulullah, khaire khalkullah fil arz zalimo ka dilerana muqabla karte hue shaheed ho gaye,
inna lillahi va inna ilayhi raajioun,
◈ Shimar ne khola bin Yazeed se kaha k inka sar kaat lo, magar uska haath kaanp gaya, fir Shaqi badbakht Sannan Bin Anas ne kaam anjaam diya,
⇨Aapki laash ko dekha to 33 zakhm nezo ke, 34 zakhm talwaro ke the,
"Fa raziyallahu anhum va arzah varzuqna hubba va hab min vaalidah, "
◈ Hazrat Husain Raz.aur ahle bait ke qatl se farig hokar ye zalim Hazrat Ali Asgar zenul Abideen Raz.ki taraf mutavajjah hue,
⇨ Shimar ne unko bhi qatl karna chaha, Hameed bin Muslim ne kaha,
" Tum bachche ko qatl karte ho jab k wo mareez bhi he, "
To Shimar ne unhe chhod diya,
→Amr bin Sa'ad ne kaha k aurto ke khemo ke paas koi na jaye aur is mareez bachche ko koi na chhede,
◈ ibne Ziyaad ka hukm tha k qatl ke baad laash ko ghodo ki taapo se ronda jaye, un zalimo ne ye bhi kar dala,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 224
   ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 45- Hazrat Husain Raz. aur unke Rafqa ke Sar Mubarak ibne Ziyaad ke Darbaar me ▣
◈Jung ke khatme per maqtuleen ki shumar ki gayi to Hazrat Husain Raziyallahu anhu ke ashaab me 72 Hazraat shaheed hue aur Amr bin Sa'ad ke lashkar ke 88 sipahi maare gaye, Hazrat Husain Raz.aur unke Rafqa ko 2 din baad dafan kiya gaya,
◈ Khola bin Yazeed aur Hameed bin Muslim in Hazraat ke saro ko lekar kufa rawana hue aur ibne Ziyaad ke saamne pesh kiya, ibne Ziyaad ne sabko jama karke saro ko saamne rakha aur ek chhadi se Hazrat Husain Raz.ke dahan Mubarak ko chhone laga, Zaid bin Arqam Raziyallahu Anhu se raha nahi gaya aur bol uthe,
⇨" k chhadi ko in mubarak honto se hata le, qasam he us zaat ki jiske Siva koi ma'abood  nahi k mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko dekha he k in honto ka bosa dete the,"
ye kehkar ro pade,
⇨Ibne Ziyaad ne kaha k tum agar bude na hote to me tumhari bhi gardan uda deta,
→ Hazrat Zaid bin Arqam Raz.ye kehte hue bahar aa gaye k,
" Ey  qaume Arab! tumne Saiyadunnisa Fatma ke bete ko qatl kar diya aur Marjana ke bete ko apna Ameer bana liya, wo tumhare achchhe logo ko qatl karega aur shariro ko gulam bana'ega, tumhe kya hua Jo is zillat per raazi ho gaye,"
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 227
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 46- Baqiya Ahle bait Kufa me
◈ Amr bin Sa'ad 2 roz baad baaqi ahle bait ko lekar kufa pahuncha, aur sabko ibne Ziyaad ke saamne pesh kiya, ibne Ziyaad ne Hazrat  Ali Asgar Raz.ko bhi qatl karne ka iraada kiya to Hazrat Ali Asgar Raz. ne kaha k mere baad in aurto'n ka kon kafeel hoga?
◈Idhar Hazrat Zenab Raz.unki fufi unko lipat gayi aur kehne lagi,
"Ey  ibne Ziyaad!  kya abhi tak humare khoon se Teri pyaas nahi bujhi, me tujhe khuda ki kasam deti hu'n, inko qatl kare to humko bhi inke saath qatl kar de, "
Ali Asgar Raz. ne farmaya,
, Ey ibne Ziyaad !! agar tere aur in aurto'n ke darmiyan koi qarabat ( rishtedari) he to inke saath kisi saleh muttaqi musalman ko bhejna, Jo islam ki taleem ke mutabik inki rafaqat kare, "
→Ye sunkar ibne Ziyaad ne kaha,-
" Achchha is ladke ko chhod do k ye khud apni aurto'n ke saath jaye, "
◈ iske baad ibne Ziyaad ne ek namaz ke baad khutba diya jisme Hazrat Husain Raz.,Hazrat Ali Raz. Per sab v shitam kiya, us majme me ek naabina Sahabi Abdullah bin Afeef Azdi Raz.the, wo khade ho gaye aur kaha,
→" Ey  ibne Ziyaad.! tu kazaab bin kazaab he, tum Ambiya ki aulaad ko qatl karte ho aur Siddiqeen si baate banate ho, "
⇨Ibne Ziyaad ne unhe giraftar karna chaha lekin unke qabile ke log khade ho gaye to unko chhod diya,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 227
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 47- Sar Mubarak ko Kufa ke Bazaro me Firaya gayA ▣
◈ ibne Ziyaad ki shaqawat ne isi per bas nahi kiya balki hukm diya k Hazrat Husain Raz.ke sar Mubarak ko ek lakdi per rakhkar kufa ke bazaro aur gali kucho me ghumaya jaye,,
⇨ iske baad mulqe shaam Yazeed ke paas bhej diya gaya, aur saath hi aurto'n aur bachcho ko bhi rawana kar diya gaya,
◈ inaam ke lalach me Har bin Qais Yazeed ke paas Fateh ki khabar lekar pahuncha aur maidane karbala ki tafseel bayaan ki,
⇨ Ye haal sunkar Yazeed ki aankho se aansu beh nikle aur kaha,
→" Me tumse itni hi itaat chahta tha k bager qatl kiye giraftaar kar lo, Allah ta'aala ibne Sumaiya ( ibne Ziyaad) per laanat kare, usne inko qatl Kara diya, Khuda ki Qasam me waha hota to me maaf kar deta, Allah ta'aala Husain (Raz.) per raham farmaye, "
◈ Sar Mubarak jis waqt Yazeed ke saamne rakha gaya to Yazeed ke haath me ek chhadi thi aur Hazrat Husain Raz.ke daanto per chhadi fer kar ashaar padne laga,
→" Hamari qaum ne hamare liye insaaf na kiya to hamari khoo'n chaka'n Talwaro ne insaaf kiya, jinhone ese mardo ke sar faad diye Jo hum per sakht the aur wo taalluqat qata'a karne wale zalim the,"
◈ Hazrat Abu Barza Aslami Raziyallahu Anhu bhi wahi mojood the, Aapne kaha k,
"Ey  Yazeed !  apni chhadi Hazrat Husain Raz.ke daanto per lagata he aur mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko dekha he k inko bosa dete the,"
Ey  Yazeed!  qayamat ke roz tu aaega to Teri shafa'at ibne Ziyaad hi karega aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhu aaenge to unke Shafi'a Muhammad Mustfa Sallallahu Alaihivasallam honge, "
Ye kehkar Abu Barza Raz.majlis se nikal gaye,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 229
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 48- Yazeed ke Ghar Maatam
◈ Jab Yazeed ki bivi Hindah bint Abdullah ne ye suna k Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko qatl kar diya gaya aur unka sar Mubarak laya gaya he to wo chaadar oad kar bahar nikal aayi aur kehne lagi,
→ "Ey   Amirul Momineen.! kya ibne binte Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath ye maamla kiya gaya he,"
→Usne kaha,
" Khuda ibne Ziyaad ko halaak kare usne jaldi ki aur qatl kar dala,"
Hindah sunkar ro padi,
◈ Aurte'n, bachche Yazeed ke saamne laaye gaye aur sar Mubarak majlis me rakha hua tha, Hazrat Husain Raz.ki dono sahabzadiya Fatima aur Sakina Raziyallahu anhuma ki nazar apne walid maajid ke sar per padi to besakhta rone lagi k awaaz nikal gayi,
⇨ unki awaaz sunkar Yazeed ki aurte'n bhi chilla uthi aur Yazeed ke ghar me ek maatam barpa ho gaya,
▣ 49- Ahle bait ki Madina Waapsi
◈ iske baad Ahle bait ko hifazat ke saath madina ki taraf rawana kar diya gaya,
◈ Hazrat Husain Raziyallahu anhu aur unke ashaab ke qatl ki khabar jab Madina pahunchi to Madina me kohraam mach gaya, Madina ke daro diwaar ro rahe the aur jab ahle bait ke baqia nafoos Madina pahunche to Madina walo ke zakhm taza ho gaye,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 230
          ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 50 - Shahadat ke waqt Huzur Sallallahu Alaihivasallam ko Khwab me dekha gaya ▣
◈ Behqi ne dalail me basanad rivayat likhi he k, Hazrat Abdullah bin Abbas Raziyallahu Anhu ne ek raat Huzur Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me dekha k dopahar ka waqt he, Aap paraganda Baal pareshan haal hai'n, Aapke haath me ek sheeshi he jisme khoon he,
ibne Abbas Raz.farmate hai'n k mene arz kiya k '
"isme kya he?"
Farmaya -
" Husain ka khoon he, me Allah ta'aala ke saamne pesh karunga, "
Hazrat ibne Abbas Raz.ne usi waqt logo ko khabar de di k Husain Raz.shaheed ho gaye,
⇨is khwab se chand roz baad shahadat ki khabar pahunchi aur hisaab lagaya gaya to theek wahi din aur wahi waqt aapki shahadat ka tha,
◈ Tirmizi ne sulmi se rivayat kiya he k wo ek roz Hazrat umme Salma Raziyallahu Anha ke paas gaye to ro rahi thi, mene puchha to farmaya,
" Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me is tarah dekha he k Aapke sar Mubarak aur daadi Mubarak per mitti padi hui he, "
Mene puchha k ,"ye kya haal he?  "
Farmaya k ," me abhi Husain ke qatl per mojood tha, "
◈ Abu Naiem ne dalail: me Hazrat Umme Salma Raziyallahu Anha se rivayat kiya he k Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ke qatl per mene Jinnat ko rote dekha he,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 230
: ◆══◆══◆══◆══◆══◆
  ▣ 51-Hamara Amal kya Hona chahiye  ▣
◈ Agar Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki zaat v sifaat ka zikr aayega to hum bila shubha sar jhuka denge,
⇨ aur unke naqse qadam per sar ke bal chalne ko bhi imaan v sa'adat samjhenge,
⇨ Aur Yazeed aur uske qaba'ir v misaal ba uyoob saamne aayenge to hum asal haqeeqat ko samajh kar khamoshi akhtyar karne ko makool jazba samjhenge,
⊙ Ab uska maamla Allah ta'aala ke saath he humare saath nahi,⊙
® Hazrat Maulana Qari Taiyab Sahab •☆
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 230
            ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣  Waqya e Karbala Ka Ranjo Gam   ▣
◈ Har kalma go chahe shiya ho ya sunni , sabko is dahshatnaak aur dard angez waq'aa se be inteha ranj v alam he,
⇨koi nahi Jo Hazrat Husain Raz.ki mazlumiyat se magmoom na ho, Taqriban 1374 saal guzarne ke bavjood is waq'aa ko koi bhool nahi paya iski yaad taaza apne seeno me rehti he,
▣ 53- Izhare Gam ke Tareeqe Me Farq
◈ Ahle sunnat wal jama'at is dardnaak waq'aat ko apne seene me rakhne ke bavjood ek bahadur sahibe waqaar insaan ki tarah sanjeedgi ko haath se jaane nahi dete,
⇨Jabki iske khilaf Shiya logo ne is ranj v alam ka izhaar karne ke liye Sunnat se moonh mod liya aur 10 ve muharram ko izhaare gam ka wo tareeqa akhtyar kar liya Jo naja'iz aur haraam he,
⇨jinse musalmano ke aqa'id faasid hote hai'n, Shiya logo ke kamjor tabiyat ke rehnuma apne faayde ki khatir haq ko chhipate hai'n aur akhirat ke nata'iz ko nazar andaaz karte hai'n,
⇨ Afsos ye he k aaj bahut se hamare Sunni bhai bhi inki pervi kar rahe aur apni akhirat kharab kar rahe, ,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 265
            ◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 54- Taaziyadari ke Mutalliq Ulmae Ahle Sunnat Ka Faisla
◈ Hazrat  Shah Abdul Aziz Rh.Muhaddis Dehlvi Fatawa Azizi matbua muztabai, Safa 74 per likhte hai'n,
■ Taaziyadari Bid'at he aur Bid'ate Shiya he aur Bid'ate Shiya isme shamil hone walo ko khuda ki laanat me giraftaar kar deti he,
aur uske faraiz aur nawafil bhi baargahe ilahi me maqbool nahi hote, "
■ Marsiya khwani ki majlis me ziyarat aur giryazari ki niyat se jana bhi jaa'iz nahi kyuki waha'n koi ziyarat nahi he jiake vaaste koi aadmi jaye aur Taaziya lakdiyo ki jo banai gayi he ye ziyarat ke qaabil nahi balki mitaane ke qaabil he,
  
® Fatawa Azizi matbua muztabai, Safa 73
■ Taaziye ke Taboot ki ziyarat karna aur us per Fateha padna aur Marsiya padna aur Kitaab sunna aur fariyaad karna aur rona, seena peetna, Imaam Husain Raziyallahu Anhu ke maatam me apne aapko zakhmi karna ye sab cheeze Shar'an najaa'iz he,
®Fatawa Azizi matbua muztabai, safa 155
⇨ Hum Musalmano ka farz he k Taaziye ke juloos me Shirkat se parhez kare'n aur apne ahal v ayaal ko bhi bachaye, Har musalman ko is Bid'at v Jahalat se rokna hum sabka farz he,
➖ Allah Tamaam Ahle imaan ko Haq ki Samajh Ataa farmaye, ➖
■ Ameen ya Rabbul Aalameen, ■
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 265
           ◆══◆══◆══◆══◆══◆
: ▣  Qatilane Husain Raz. Ka ibratnaak Anjaam  ▣
            ◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Imaam Zahri farmate hai'n k •Jo log qatle Husain  Raz. me shamil the unme se ek bhi nahi bacha jisko akhirat se pehle duniya me saza na mili ho, koi qatl kiya gaya, kisi ka chehra sakht syaah ho gaya ya masakh ho gaya ya chand roz me hi milk saltnat chhin gayi aur zahir he k ye inke amaal ki asli saza nahi, balki uska ek namoona he Jo logo ko ibrat ke liye duniya me dikha diya gaya,
▣ 1- Qaatile Husain Raz.andha ho gaya ▣
◈ Ibne Jozi Reh.ne rivayat kiya he k ek buda aadmi Hazrat Husain Raz.ke qatl me shamil tha wo dafatan naabina ho gaya to logo ne sabab pucha,
⇨ Usne kaha mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ko khwab me dekha k aasteen chadaye hue hai'n, haath me talwar he ,
→aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke saamne chamde ka wo farsh he jis per kisi ko qatl kiya jata he aur us per qaatilane Husain Raz.me se 10 Aadmiyo ki laashe zibah ki hui padi hai'n,
→uske baad Aap Sallallahu Alaihivasallam ne mujhe daanta aur khoone Husain Raz. ki ek salai meri aankho me laga di, Subeh jab utha to me andha tha,
® As'aaf
     ▣  2- Moonh kala ho gaya
◈ Ibne jozi Reh. ne naqal kiya he jis shakhs ne Hazrat Husain Raz.ke sar Mubarak ko apne ghode ki gardan me latkaya tha,
•→uske baad use dekha gaya k uska moonh kala tarkol ki tarah ho gaya he logo ne puchha k •,
→tum saare Arab me khush ru aadmi the tumhe kya hua?
→ Usne kaha k jis roz mene ye sar ghode ki gardan me latkaya jab zara soya to dekha do aadmi mere baazu pakadte hai'n aur mujhe ek dahakti hui aag per le jate hai'n,
→aur isi haalat me chand roz ke baad mar gaya,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 236
            ◆══◆══◆══◆══◆══◆
   ▣ 3- Aag me jal gaya ◈
◈ Ibne jozi Reh.ne Assalamu se naqal kiya he k unhone ek shakhs ki dawat ki, majlis me ye zikr chala k Hazrat Husain Raz.ke qatl me Jo bhi shamil hua usko duniya me bhi jald saza mil gayi,
→us shakhs ne kaha bilkul galat he me khud unke qatl me shamil tha mera kuchh bhi nahi bigda,
→Ye shakhs majlis se uthkar ghar gaya, jaate hi chiraag ki batti durust karte hue uske kapdo me aag lag gayi, aur wahi jal bhun kar reh gaya,
⇨ Sadi kehte hai'n k mene khud usko subeh dekha to koyla ho chuka tha,
▣ 4- Teer maarne wala pyaas se Tadap Tadap kar mar gaya
◈ Jis shakhs ne Hazrat Husain Raz.ko teer mara aur paani nahi peene diya us per Allah ta'aala ne esi pyaas musallat kar di k kisi tarah pyaas bujhti na thi paani kitna hi piya jaye, pyaas se tadapta rehta tha, Yaha tak k uska pet fat gaya aur Mar gaya,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 236
      ◆══◆══◆══◆══◆
    ▣ 5-Halaakat e Yazeed ▣   
◈ Shahadate Husain Raziyallahu Anhu ke baad Yazeed ko bhi ek din chen naseeb na hua, tamaam islamic mumalik me khoone shohda ka mutalba aur bagawate shuru ho gayi,
⇨ Uski zindgi uske baad 2 saal 8 maah aur ek rivayat ke me 3 saal 8 maah se zyada nahi rahi, Duniya me bhi Allah ta'aala ne usko zaleel kiya aur isi zillat ke saath halaak ho gaya,
▣ 6- Kufa per Mukhtar ka Tasallut aur Qaatilane Husain Raz. Ki ibratnaak halakat ▣
◈ Qaatilane Husain Raz. Per tarah tarah ki afaat ka ek silsila to tha hi, Shahadat ke waq'a se 5 saal baad hi 66 hijri me Mukhtar ne qaatilo se qasaas lene ka iraada zahir kiya to aam musalman uske saath ho gaye aur thode hi arse me usko ye quwat hasil ho gayi k kufa aur Iraaq per uska tasallut ho gaya,
⇨ Usne elaane aam kar diya qaatilane Husain Raz.ke Siva sabko aman diya jata he aur qaatilo ki tafteesh aur talashi per puri quwat laga di aur ek ek ko giraftaar karke qatl kiya, ek roz me 248 aadmi is jurm me qatl kiye gaye, uske baad khaas logo ki talash aur giraftari shuru ho gayi,
◈ Amru bin Hijaaj pyaas aur garmi me bhaga, pyaas ki vajah se behosh hokar gir pada aur zibah kar diya gaya,
◈ Simar ziljoshan Jo Hazrat Husain Raz.ke bare me sabse zyada shaqi aur sakht tha usko qatl karke laash kutto ke saamne daal di gayi,
◈ Abdullah bin Used, Malik bin Basheer, Hamal bin Maalik ka muhasra karke sabko qatl kar diya, Maalik bin Basheer ke do no haath do no payr kaat kar maidan me daal diya tadap tadap kar mar gaya,
◈  Usman bin Khalid aur Basheer bin Shamit ne Muslim bin Aqeel Raz.ke qatl me iaanat ki thi, inko qatl karke jala diya gaya,
◈ Amr bin Sa'ad Jo Hazrat Husain Raz. Ke muqable per lashkar ki kamaan kar raha tha, usko qatl karke uska sar Mukhtar ke saamne laaya gaya, Mukhtar ne uske bete Hafs ko bhi qatl karke kaha,
" Amr bin Sa'ad ka qatl to Husain Raz.ke badle me he aur Hafs ka qatl Ali bin Husain Raz.ke badle me aur haqeeqat ye he k fir bhi barabari nahi hui, agar me 3 chothai Quresh ko qatl kar du to Hazrat Husain Raz.ki ek ungli ka bhi badla nahi ho sakta,"
◈ Hakeem bin Tufel jisne Hazrat Husain Raz.ko teer maara tha uska badan teero se chhalni kar diya gaya, Zaid bin Rafad ko teer aur patthar barsakar maara gaya fir jala diya gaya, Salaam bin Anas jisne Sar Mubarak kaatne ka aqdaam kiya tha Kufa se bhaag gaya, uska ghar munhadim kar diya gaya,
⇨ Qaatilane Husain Raziyallahu Anhu ka ye ibratnaak anjaam maloom karke besakhta ye aayat zuban per aayi,
Tarjuma -
Azaab esa hi hota he aur akhirat ka azaab isse bada he, kaash we samajh lete,
◈ Abdullah bin Umereshi ka bayan he k mene kufa ke Qasre imarat Hazrat Husain Raz.ka sar Mubarak Abdullah bin Ziyaad ke saamne ek dhaal per rakha hua dekha, fir usi Qasr meAbdullah bin Ziyaad ka sar  Mukhtar ke saamne dekha fir usi Qasr me Mukhtar ka sar kata hua Moasib bin Zubair ke saamne dekha, 
® Tareekh Khulfa,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 237
▣  Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ne Kis maqsad ke liye Jaan Dï  ▣
            ◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ Aap pehle pad chuke hai'n, Hazrat Husain Raz.ne ahle Basra ko Jo khat likha tha, jiske chand jumle ye he,
" Aap log dekh rahe hai'n k Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki sunnat mit rahi he, aur bida'at felai ja rahi he, me tumhe dawat deta hu k kitaabullah aur sunnate Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki hifazat Karo aur uske ahkaam ki tanfeez ke liye koshish Karo,"
® Kamil ibne Aseer, 4/9
◈ Farzooq Sha'ir ke jawab me Jo kalamaat kufa ke raaste me aapne irshad farmaye uske chand jumle ye he,
" Agar taqdeer ilaahi hamari muraad ke muwafiq hoti he to hum Allah ka shukr karenge aur hum shukr Ada karne me bhi uski iaanat talab karte hai'n, k adae shukr ki tofeeq di aur agar taqdeer ilaahi muraad me haa'il ho gayi to us shakhs ka koi kusoor nahi Jiski niyat haq ki himayat ho aur jiske dil me khuda ka khof ho, "
® Ibne Aseer,
◈ Maidane jung me khutbe ke ye alfaz jisme zulm v jor ke muqable ke liye mahaz Allah ke liye khade hone ka zikr he,
→ " Maut me kisi jawan ke liye aar nahi, Jabki uski niyat khair aur musalman hokar jihaad kar raha ho, "
Jab sahabzade Ali Akbar ne kaha tha, k
→ " Abba jaan kya hum haq per nahi he'n? Aapne farmaya," Qasam he us zaat ki jiski taraf sab bandgane khuda ka ruju he bila shubha hum haq per hai'n,
◈ Ahle bait ke saamne  Aapke akhri irshadaat ke Aapke ye jumle pade,
" me Allah ta'aala ka shukr Ada karta hu raahat me bhi aur musibat me bhi, Ya Allah me Aapka shukr Ada karta hu k aapne hume sharafate nabuwat se nawaza aur hume kaan, aankh aur dil diye jisse hum aapki ayaat samjhe aur hume aapne quran sikhaya aur deen ki samajh Ataa farmai, hume aap shukr guzaar bando me dakhil farma lijiye, "
◈ in khutbaat aur kalmaat ko sunne, padne ke baad baad bhi kya kisi musalman ko ye shubha ho sakta he k Hazrat Husain Raz ka ye jihaad aur hairat angez qurbani apni hukumat v iqtdaar ke liye the, Bade zaalim hai'n wo log Jo us muqaddas hasti ki azimusshan qurbani ko unki tasrihaat ke khilaf baaz duniyavi izzat v iqtdaar ki khatir qaraar dete hai'n, Haqeeqat wahi he Jo shuru me likh chuka hu'n k Hazrat Husain Raz.ki saari qurbani sirf isliye thi,
★ Kitaab v sunnat ke qanoon ko sahi tor per rivaaj de'n,
★ Islam ke nijaam adal ko az sar no qaa'im kare'n,
★ Islaam me khilafat nabuwat ke bajae mulukiyat v Aamriyat ki bid'at ka muqabla kare'n,
★ Haq ke muqable me na zor v zar ki numaish se maroub ho'n aur na jaan maal aur aulad ka khof us raaste me haa'il ho,
har khof, musibat, mashaqqat me har waqt Allah ko yaad rakhe, aur isi per har haal me tawakkul aur etmaad ho aur badi se badi musibat me bhi uske shukr guzaar bande saabit ho'n,
◈ Koi he Jo jigar gosha e Rasool Sallallahu Alaihivasallam ki is pukaar ko sune aur unke mishan ko unke naqse qadam per anjaam dene ke liye taiyaar ho, unke akhlaq hasna ki pervi ko apni zindgi Ka maqsad banale,
⇨Ya Allah hum sabko apni aur apne Rasool Sallallahu Alaihivasallam aur Aapke Ashaab Raziyallahu Anhum v ahle bait athaar ki muhabbat e kaamila aur itteba e kaamil naseeb farmae,
® Shaheede karbala ba hawala deeni dastarkhwan,
⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 240
                 ▣  Musannif   ▣
            ◆══◆══◆══◆══◆══◆
◈ 1- Hazrat Shaikh Mujaddid Alfisani Rh,
◈ 2- Qutubul Aalam Maulana Rasheed Ahmed Gangoi Rh
◈ 3- Hakeemul Ummat Hazrat Thanvi Rh
◈ 4- Hakeemul Islaam Qari Muhammad Taiyab Rh
◈ 5- Mufi e Aazam Maulana Mufti Shafi Usmani Rh,
◈ 6- Wali e Kamil Hazrat Maulana Ahmed Ali Lahori Rh
◈ 7- Shaheedul Islaam Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Ludiyanvi Rh
◈ 8- Aalime Rabbani Hazrat Maulana Mufti Abdul Qadir Rh
◈ 9- Mufakkir Islaam Sayyad Abul Hasan Nadvi Rh
◈ 10 - Shaikhul Islaam Hazrat Maulana Mufti Taqi usmani Madzillhu,
     ☆Alhamdulillah Mukammal Hue
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 2
   ━─━─━─━─━─━─━─    
   ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                       Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi
           
              ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞

Post a Comment

 
Top