❁
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
❁ вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
•–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
SHAHADAT- E- HUSAIN -PART-1,
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
SHAHADAT- E- HUSAIN -PART-1,
︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
▣Muharramul Haraam Fazail v Masail ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
※ Muharram Ki Haqeeqat ※
★ Sabse pehle baat yaha se chalti he k ye Mahina muazzam v mohatram he ya Manhoos??
◈ Baaz log ise samajhte hai'n aur vajah iski ye he k inke nazdeek shahadat bahut buri aur manhoos cheez he aur chuki Hazrat Husain Rd. Ki shahadat isme hui he isliye isme koi takreeb aur khushi ka kaam shadi, nikah vagerah nahi karte,
◈ iske bar-aks musalmano ke yaha ye mahina mohatram, muazzam aur fazilat wala he,
◈ Moharram ke ma'ani hi mohatram, muazzam aur muqaddas ke he, Aam tor per ye khayal kiya jata he k is mahine ko isliye fazilat mili k Hazrat Husain Rd ki shahadat is me hui, ye galat he, is mahine ki fazilat islaam se bhi pehle se he,
◈ Bani israa'il ko Hazrat Musa Alayhissalam ke saath Fir'on se isi din me nijaat hui, is ni'amat ke Adaa'e shukr ke tor per is din ke Roza ka hukm hua, aur bhi bahit si fazilat ki cheeze isme hui hai'n, Albatta yu kahenge k Hazrat Husain Rd ki shahadat me zyada fazilat isliye hui k ese fazilat wale maah me waqa'i hui,
◈ Jab se ye sabit hua k ye mahina aur din afzal he to is me nek kaam bahut zyada karne chahiye, Nikah vagerah , Khushi ki taqribaat bhi isme zyada karni chahiye, isse shadi me barkat hogi lekin ye badi baat isliye k bahut Dino se ye galat baate koot koot kar dil me bhari hui he, 100 saal ka Raam bhara hua jaldi se nahi nikalta, wo nikalte hi nikalta he,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 26
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 26
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
▣ Muharram ul Haraam Fazail v Masail ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ Muharram ul Haraam Fazail v Masail ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
※ 9 aur 10 Muharram ka Roza -※
◈ Sahih Bukhari me Hazrat Ibne Abbas Raziyallahu Anhu se Rivayat he k Janabe Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam Madina: Tayyaba me tashrif laye to yahood ko dekha k wo is din ko roza rakha karte hai,
⇨ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Tum roza kyu rakhte ho? "
" Tum roza kyu rakhte ho? "
kehne lage, ye bahut achchha din he, is din me Haq Ta'aala ne bani israa'il ko unke dushman Firon se nijaat di thi, isliye Hazrat Musa Alayhissalam ne is din ka roza rakha,
⇨ ye sunkar Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" k hum banisbat tumhare Hazrat Musa Alaihissalam ki muvafqat ke zyada haqdaar hai'n,
" k hum banisbat tumhare Hazrat Musa Alaihissalam ki muvafqat ke zyada haqdaar hai'n,
⇨ Fir Asp Sallallahu Alaihivasallam ne khud bhi roza rakha aur Sahaba ikram Raziyallahu Anhum ko bhi is din Roza ka hukm diya,
® Sahih Bukhari,
◈ Sahih Muslim me Hazrat Abu Haraira Raziyallahu Anhu se Rivayat he k,
→ Ramzaan ke baad afzal roza Muharram ka he, aur Farz namaz ke baad afzal namaz tahajjud ki namaz he,
® Sahih Muslim,
◈ Huzur Aqdas Sallallahu Alayhivasallam ki hayaat taiyaba me jab bhi Ashura ka din aata Aap Sallallahu Alaihivasallam Roza rakhte lekin wafaat se pehle Jo Ashura ka din aaya to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Ashura ka roza rakha aur saath hi ye bhi irshad farmaya k ,
→10 Muharram ko hum bhi roza rakhte hai'n aur Yahood bhi roza rakhte hai'n, jiski vajah se unke saath halki mushabhat paida ho jati he, isliye agar me aa'inda saal zinda raha to sirf Ashura ka roza nahi rakhunga balki uske saath ek roza aur mila'unga, 9 Muharram ka roza bhi rakhunga taki Yahoodiyo'n ke saath mushabhat khatm ho jaye,
→Lekin agle saal Ashura ka din aane se pehle Huzur Aqdas Sallallahu Alaihivasallam ka visaal ho gaya aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ko is per amal ka mauka nahi mila,
→ lekin chunki Aap Sallallahu Alaihivasallam ne ye baat irshad farma di thi isliye Sahaba ikram Raziyallahu Anhum ne Ashura ke roze me is baat ka ahatmam kiya aur 9 ya 11 Muharram ka ek roza aur mila kar rakha, aur isko mustahab qaraar diya aur tanha Ashura ka roza rakhne ko Huzur Sallallahu Alaihivasallam ke irshad ki roshni me makrooh tanzihi aur khilafe aula qaraar diya,
◈ Rasool Akram Sallallahu Alyhivasallam ke is irshad me hume ek sabaq aur mila k ,
→gair muslimo'n ke saath adna mushabhat bhi Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne pasand nahi farmayi,
→ halanki wo mushabhat kisi bure aur najaa'iz kaam me nahi thi balki ek ibadat me mushabhat thi k is din Jo ibadat wo kar rahe hai'n, usi din hum bhi wahi ibadat kar rahe hai'n, lekin Aap Sallallahu Alaihivasallam ne isko bhi pasand nahi farmaya,
-kyu?
→ isliye k Allah ta'ala ne musalmano ko deen ataa farmaya he wo saare Deeno se mumtaaz he,
◈ Jab ibadat, bandgi aur neki ke kaam me bhi Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne mushabhat pasand nahi farmayi to aur kaamo me musalman agar unki mushabhat akhtyar kare to kitni buri baat hogi,
→agar ye mushabhat jaan boojhkar is maqsad se akhtyar ki jaye k un jesa nazar aaou'n to ye Gunahe Kabeera he,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 27
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 27
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
▣ Muharram ul Haraam Fazail v Masail ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
※ 10 Muharram me pesh aane wale waq'aat, ※
◈ 1- Hazrat Aadam Alaihissalam ki tauba ki Maqbuliyat,
◈ 2- Firon se Hazrat Musa Alaihissalam.aur unki qaum ki nijaat,
◈ 3- Kashti e Nooh Alaihissalam isi din Jodi pahaad per thehri,
◈ 4- Hazrat Yunus Alaihissalam isi din Machhli ke pet se bahar aaYe,
◈ 5- Hazrat Yusuf Alaihissalam ka Kunve ( well ) se nikalna,
◈ 6- Hazrat Isa Alaihissalam ki wiladat aur Aasmano per uthaya Jana,
◈ 7- Hazrat Daoud Alaihissalam ki tauba,
◈ 8- Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki wiladat,
◈ 9- Haztat Ya'aqoob Alaihissalam ki binaa'i ka lautna,
◈ 10- isi din Janabe Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki agli pichhli lagzishe Haq Ta'aala ne maaf kar di,
● Ye 10 Waq'aat Sharah Bukhari me hai'n, iske alawa baaz kutub me aur bade bade waq'aat ko shumaar kiya he Jo Ashura ke din hue, chand ye hai'n -
◈ 1- Hazrat Aadam Alaihissalam ka nabuwat ke liye muntkhab hona,
◈ 2- Hazrat Idrees Alaihissalam ka Aasmano ki taraf uthaya Jana,
◈ 3- Haq Ta'aala ka Hazrat Ibrahim Alaihissalam ko khalifa banana,
◈ 4- Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ka Hazrat Khadija RaZiyallahu anha se Nikah bhi isi din hua,
◈ 5- isi din Qayamat qaa'im hogi,
◈ 6- is din me Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu anhu ki shahadat ka waq'aa pesh aaya,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 28
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 28
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
▣ Muharram ul Haraam Fazail v Masail ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
※ Ahal v Ayaal per Vus'at ※
◈ Imaam Bahiqi Rh ne Hadees bayaan farmayi he k Janabe Rasulullah Sallallahu Alayhivasallam ne farmaya,
" Jo shakhs Ashura ke din Ahal v Ayaal per vus'at karega Allah ta'ala saare saal farakh rozi ataa farmata he,"
⇨ Hadees ke Raavi Hazrat Sufiyan bin Ayniyah Rd farmate hai'n k humne Tajurba kiya he isko durust paya he, magar isko zaroori na samjhe aur na had se zyada ahatmam kare aur jab Ahal v Ayaal per vus'at kare to gareeb hamsaya( Padosi ) ke yaha bhi bhejo,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 28
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 28
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
▣ Muharram ul Haraam Fazail v Masail ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
※ Muharram aur Ashura ke Din Na-jaa'iz kaam ※
▣ 1- Maatam, Noha, karna aur Sog Manana ▣
◈ Maahe Muharram ko baaz log manhoosb Mahina samajhte hai'n halanki ( jesa pehle guzar chuka) ye Mahina Mubarak he, bade bade azeem waq'aat is maah me pesh aae hai'n,
◈ Kai log is maah me khususan Ashura ke din Maatam karte hai'n, aur gam ka izhaar karte hai'n, ye gunah he, islaam hume sabr aur istqamat ki taleem deta he, zor zor se rona peetna, kapde faadna, chhatiyo ko peetna, islami talimaat se koso door he,
⇨ Islaam ka hukm ye he k kisi ke marne se 3 din ke baad gam ka izhaar na Karo aur na hi sog manao, sirf Aurat apne shohar ke marne ke baad 4 maah 10 din sog manae, Shohar ke alawa kisi aur ka chahe wo baap ho, bhai ho ya beta 3 din se zyada sog manana jaa'iz nahi,
◈ Sahi Bukhari ki hadees he k Ummul Momineen Hazrat Umme Habiba Raziyallahu anha ko apne walid ki wafaat ki khabar pahunchi to 3 din ke baad khushbu mangai aur chehre ko lagai aur farmaya-
→ K mujhe iski zaroorat nahi thi ( kyuki budi ho chuki thi aur khawind yani Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat ho chuki thi) lekin mene baap ka sog khatm karne ke liye khushbu lagai kyuki mene Huzur Sallallahu Alaihivasallam se suna k kisi musalman aurat ke liye 3 din se zyada sog manana jaa'iz nahi,
⇨ is Hadees Mubarak se maloom hua k 3 din se zyada sog Manana jaa'iz nahi, baaz log Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ka Sog manate hai'n, Muharram me achchhe kapde nahi pehante, bivi ke qareeb nahi jate, charpaio'n ko ulta kar dete hai'n vagera vagera,
⇨ halanki Hazrat Husain RaZiyallahu Anhu ki shahadat ko taqriban 1400 saal se bhi zyada ho chuke, ye na-waqfiyat ki baate hai'n,
★Allah ta'ala hum sabko hidayat per rakhe,
※Ameen ya rabbal alameen, ※
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 29
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 29
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
▣ Muharram ul Haraam Fazail v Masail ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ Muharram ul Haraam Fazail v Masail ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
※ Muharram aur Asura ke din Na-jaa'iz kaam ※
▣ 2 - Isaale Sawab ke Liye Khana Pakana ▣
◈ Muharram ke mahine me bil khusoos 9 vi, 10 vi aur 11 vi Tareekh me khana paka kar Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki rooh ko isaale sawab karte hai'n,
◈ Isaale sawab ka sabse afzal tareeqa ye he k apni haisiyat ke mutabik naqad rakam kisi khair ke kaam me laga de ya kisi mohtaz miskeen ko de de,
⇨ ye tareeqa isliye afzal he k isse miskeen apni har haajat puri kar sakega aur aaj use koi zarurat nahi to kal ki zarurat ke liye rakh sakta he, ye Surat dikhawe se bhi paak he,
◈ Hadees Paak me makhfi( secret) sadqa dene wale ki ye fazilat warid hui he k ese shakhs ko Allah ta'ala baroze qayamat arsh ke saaye me jagah inayat farmaenge jabki koi aur saaya na hoga aur shadeed garmi se log pasino me gark ho rahe honge,
◈ Fazilat ke lihaaz se doosre darje per ye Surat he k miskeen ki haajat ke mutabik sadqa diya jaye yani uski zarurat ko dekh kar use poora kiya jaye,
※Ye isaale sawab ki sahi surate'n hai'n,※
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 30
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 30
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
▣ Muharram aur Ashura Ke Din na-jaaiz Kaam ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 3- 10 vi Muharram ki Chhutti ▣
◈ Kai log 10 vi Muharram ki chutti karna zaroori samajhte hai'n aur isko Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki shahadat ka sog samajhte hai'n,
⇨ halanki 3 din ke baad sog manana jaa'iz nahi he aur shari'at ne kisi bhi din bhi kaam kaaj karne se mana nahi kiya, Namaze juma aur Namaze eid ke baad bhi apna karobaar kar sakte hai'n,
▣ 4- Qabro ki Leepa Poti ▣
◈ Qabro ki leepa Poti jaa'iz he lekin is kaam ke liye sirf maahe muharram ko mukarrar karna durust nahi, Jab bhi mauka ho leepa poti kara sakte hai'n,
⇨ Qabro'n ki ziyarat sawab he kyuki inko dekhne se maut yaad aati he magar is kaam ke liye 10 Muharram ko mukarrar karte hai'n aur saal me sirf isi din qabristan jate hai'n aur aage pichhe kabhi bhool kar bhi nahi jate, ye sahi nahi he,
◈ kuchh log Ashura ke din qabro'n per sabz chhadiya'n rakhte hai'n aur ye samajhte hai'n k isse murde ka azaab tal jata he, is amal ke iltzam me bahut kharabiya he,
⇨ maslan gair laazim ko laazim samjha jata he, baaz log azaab tal jane ko laazmi khayal karte hai'n aur ye sahi nahi,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat),32
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat),32
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
▣ Muharram aur Ashura ke Din na-jaaiz Kaam ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ Qabro ki Jiyarat ke Masail, ▣
◈ Qabro ke paas se Gujre to " Assalamualaikum ya ahlal quboor " keh Lena chahiye,
◈ Qabristan Jane ke liye koi din or koi khaas waqt ki taleem nahi di gayi, jab chahe ja sakte hai, lekin Qabristan Jane ka maqsad isaale sawab aur ibrat hasil karna ho,
◈ Shabe Baraat Aur Jume ke din qabristan Jana sabit he,
◈ Buzurgo ke mazaraat per Jana jaa'iz he lekin Mannat mangna, urs ya mele bharana, chadar chadana, Bakra zibah karna, Chadava chadana najaa'iz or haraam he,
★ Qabristan me Dua or Fateha ka Tareeka,
◈ Sabse pehle Salam karna,
◈ Sabse pehle Salam karna,
◈ Fir jis kadar mumkin ho unke liye DUA, Astagfar kare or Qurane Kareem padkar isaale sawab kare,
◈ Baaz rivayaat me Surah fatiha, Surah Yaseen, Tabarakallazi, Zilzaal, Takasur, Surah IKHLAS, Ayatal kursi ki fazilate aayi he,
◈ Qabr ki taraf moonh karke Dua na kare, Fatawa Aalamgeeri me (safa 350,jild 5) me likha he k Qabr per Fateha, isaale sawab ke liye DUA manage to Qabr ki taraf Rukh na kare balki Qabr ki taraf pusht kare or Qibla ki taraf moonh karke Dua manage,
◈ Qabr per buland awaz se Qurane Kareem padna makrooh he, Ahista pad sakte hai,
◈ Qabristan me Aurto'n ke Jane me ikhtilaf he,, sahi ye he k jawan Aurte'n hargiz na jaye, Budi ( old ) Aurte'n ja sakti he lekin waha koi khilafe shara koi kaam na kare to gunza'ish he,
⚀•RєԲ:➻┐
Aapke Masail aur Unka Hal, Jild -3,
◆══◆══◆══◆══◆══◆
Aapke Masail aur Unka Hal, Jild -3,
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 5- Majalis e Shahadat ▣
◈ Yaume Ashura ko yaume Shahadat Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu gumaan karna v Ahkaame Maatam v Noha girya v zaari v beqarari karna aur ghar ghar Majlise shahadat me shahadat nama ya wafaat nama bayan karna, khaaskar asal rivayaat ke khilaf, Ye haraam he,
◈ Hadees Paak me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne marsiyo ( wafaat nama ) se mana farmaya he aur khilafe rivayat bayan karna sab avbaab me haraam he,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat),
◆══◆══◆══◆══◆══◆
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat),
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 6- Sabeel lagana, Sharbat, Khichda, taqseem karna ▣
◈ Taqseeme sharbat, khichda, jisme riya, dikhawa ka khaas dakhal he, aur har gani ( rich) aur faqeer ko iska Lena aur isko tabarruk jaanna aur Jo na le usko bura samajhna, us per laan taan karna,Doodh, sharbat ki Sabeel lagana aur uske liye chanda karna aur na dene wale ko bura kehna, khaaskar in Dino me karna,
◈ Agar jaan boojhkar sawab ki niyat se karta he to ye Bid'at zalala he aur kisi aur Sadqaat ka Lena gani ( rich), ko makrooh he, aur Sayyad ko haraam he, aur na lene wale ko laan taan karna Fisq he,
➖Faqat Wallahu Aalam➖
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 26
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 26
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 7- Muharram me Shadi Na karna ▣
◈ Muharram, Safar aur Shaban me shadi na karna is aqeede per mubni he k yeh mahine Manhoos hai'n, islasm is nazariye ka qaa'il nahi,
◈ Muharram me Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ki shahadat hui he magar isse ye laazim nahi aata k is mahine me Aqd Nikaah mamnu'a ho gaya,
⇨ varna har mahine me kisi na kisi shakhsiyat ka visaal hua he, Jo Hazrat Husain Raziyallahu Anhu se bhi buzurgtar the,
⇨ isse ye laazim aayega k saal ke 12 mahino me kisi me bhi Nikaah na kiya jaye,
◈ Fir shahadat ke mahine ko Sog v nahusat ka mahina samajhna bhi galat he,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 34
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 34
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ - Munkiraat e Muharram ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
1- Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko imaam kehne ki Kya Haisiyat he??
Imaam ka lafz ahle haq ke yaha bhi istemal hota he aur Shiya ke yaha bhi,
Ahle haq ke yaha iske ma'ani Peshwa, Rehbar, aur Muqtada ke he,
Ahle Tashee'a ( Shiya log) ke yaha imaam aalimul gaib aur masoom hote hai'n, unke yaha imaam ka darja Nabiyo'n se bhi bada hota he,
Zahir he is lafz ( imaam) ke istemal me hum to wahi matlab malhooz rakhte hai'n Jo ahle haq ke yaha he, is etbaar se tamaam Sahaba ikram, Taba'ien, Auliya Allah aur Ulema imaam hai'n, isliye imaam Abu Bakar, imaam Umar, imaam Usman, imaam Ali, imaam Abu Haraira Raziyallahu Anhum kehna chahiye,
Rasulullah Sallahu Alaihivasallam ne farmaya " Mere sab Sahaba sitaaro'n ki manind hai'n, "
Yani sab ke sab imaam hai'n, jiski chaho iqteda kar lo, har sitaare me roshni he, jisse chaho roshni haasil kar lo, is maa'ani me saare Sahaba ikram Raziyallahu Anhum imaam hai'n,
Sochne ki baat ye he k log imaam Abu Bakar nahi kehte, imaam Umar nahi kehte, imaam Hasan aur imaam Husain hi kehte hai'n,
Maloom hua k ye asar musalmano me kahi'n gair se aaya he, Shiyao'n ka asar musalmano me sarahat kar gaya, Agar ahle haq Ulema me se kisi ne in Hazraat ko imaam kaha he to unhone iske sahi maa'ani ( Peshwa, Rehbar aur muqtada) me imaam kaha he, magar isse mugaalta zaroor hota he isliye isse ahatraaz zaroori he,
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 2- Alaihissalam ka itlaaq ▣
◈ Ese hi Sayyadna Hazrat Husain Raziyallahu Anhu ko Alaihissalam bhi wahi log kehte hai'n Jo unhe Ambiya Alaihissalam ka darja dete hai'n, isse bhi ahatraaz laazim he,
◈ Jis tarah Raziyallahu Ta'aala anhu ke Dua'e kalamaat likhe aur kahe jaate hai'n, ese hi Dua'e kalamaat Hazraate Hasnain Raziyallahu anhum ke saath bhi likhe aur kahe jaye,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 40
◆══◆══◆══◆══◆══◆
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 40
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 3- Musalmano ke Naamo me Ahle Tashee'a ka Asar ▣
◈ Musalmano ke naamo me bhi Shiyao'n ka asar paya jata he, maslan asal naam ke saath jis tarah mahaz tabarruk ke liye Muhammad. aur Ahmed milaane ka dastoor he, isi tarah Ali, Hasan, Husain milaya jata he, Siddiq, Farooq, Usman aur ya kisi aur Sahabi Ka naam bator tabarruk asal naam ke saath milane ka dastoor nahi,
⇨ Nisbate gulami bhi Hazrat Ali, Hazrat Hasan, Hazrat Husain Raziyallahu Anhum ki taraf to ki jati he magar aur kisi Sahabi ki taraf nahi ki jati,
⇨ Aurto'n me bhi Kaneez Fatima ka naam to paaya jata he magar Kaneej Khadija, Kaneej Aayesha aur digar Azwaaj Mutahraat aur Kaneez Zenab, Kaneez Qulsum( Sahab zadiyo'n) Raziyallahu Anhuma kahi sunai nahi deti,
⇨ Isse bhi badkar Altaf Husain, Fazal Husain aur Faizul Hasan jese Shirkiya naam bhi musalmano me bakasrat paye jate hai'n,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 38
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 38
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 4- Taaziya ka Juloos aur Maatam ki Majlis Dekhna ▣
◈ in Dino musalmano me kaseer tadaad maatam ki majlis aur Taaziya ke juloos ka nazara karne ke liye jama ho jati he, inme kai gunaah hai'n,
◈ Pehla gunaah ye he k is me dushmanane Sahaba Raziyallahu Anhum aur dushmanane Quran ke saath mushabhat he, Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he,,
" Jisne kisi qaum se mushabhat ki, wo usi me shumar hoga, "
★ Holi ke din ek buzurg ja rahe the unhone mazaak ke tor per ek Gadhe per paan ki peek daal kar farmaya k tujh per koi rang nahi fek raha, le tujhe me rang deta hu,,
⇨ marne ke baad is per giraft hui k tum holi khelte the aur azaab me giraftar hue,
◈ Doosra gunaah ye he k isse un dushmanane islaam ki Ronaq badti he, dushmano ki ronaq badana bahut bada gunaah he,
◈ Teesra gunaah ye he k jis tarah ibaadat ko dekhna ibaadat he, usi tarah gunaah ko dekhna bhi gunaah he,
◈ Chotha gunaah ye he k is maqaam per Allah ta'ala ka gazab nazil ho raha hota he, esi gazab wali jagah jana bahut bada gunaah he,
◈ Ek baar Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam aur Sahaba ikram Raziyallahu Anhum ka guzar esi bastiyo'n ke khandraat per hua jin per azaab aaya tha,
→ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne apne sar Mubarak per chaadar daal li aur sawari ko bahut tez chalakar us maqaam se zaldi se guzar gaye,
→Jab Sayyadul Avvaleen val Aakhireen, Rehmatul Aalameen Sallallahu Alaihivasallam gazab ( azaab) wali jagah se bachne ka ahatmam farmate the to awaam ka kya hashr hoga, sochna chahiye k agar Allah ta'ala ke dushmano ke kartooto se us waqt koi azaab aa gaya to kya sirf nazara karne ke liye jama hone wale musalman is azaab se bach ja'enge,?
Hargiz nahi,
balki azaabe akhirat me bhi ye log unke saath honge,
Hargiz nahi,
balki azaabe akhirat me bhi ye log unke saath honge,
★ Allah ta'aala mustahike azaab banane wali bad amaalio'n se bachne ki tofeeq ata farmaye,
ye bhi khayal rahe k jis tarah Mubarak Dino me ibaadat ka zyada sawab he, isi tarah ma'asiyat per zyada azaab he,
★ Allah ta'ala sabko deen ka sahi faham aur kaamil itteba'a ki ni'amat ata farmaye,
※ Ameen ya Rabbal Alameen, ※
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 39
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 39
◆══◆══◆══◆══◆══◆
: ▣ Fazaile Ahle Bait Nabvi Sallallahu Alaihivasallam ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 1- Ahle Bait Ki Avvaleen Misdaaq Azwaaj Mutaharaat Hai'n ▣
◈ Ye ek haqeeqat he jisme kisi shak Shuba ki gunza'ish nahi k Ahle Bait ka lafz Qurane Kareem me azwaaj mutaharaat ke liye hi istemal hua he,
◈ Surah Al-Ahzab, Aayat 33:me Azwaaj Mutaharaat ko kuchh khaas hidayat dene ke baad farmaya gaya,
إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا
⇨ Jiska matlab ye he k,
" Ey humare paigambar ki biviyo'n tum ko Jo ye khaas hidayate di gayi hai'n inse Allah ta'ala ka maqsad tumko zahmat v mashaqqat me mubtila karna nahi he balki Allah ta'ala ka iraada in hidayaat se ye he k tumko har qism ki jaahiri baatini buraai aur gandgi se paak saaf kar diya jaye,"
◈ Jo shakhs Arbi zuban ki kuchh bhi waaqfiyat rakhta he, usko Surah Al-Ahzab ka ye pura ruku padne ke baad is me koi shak Shuba nahi hoga k yaha'n Ahle Bait ka lafz Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki Azwaaj mutaharaat ke liye istemal hua he,
⇨ Lekin ye kesi ajeeb baat he k Quran per imaan rakhne wale hum musalmano ka haal aaj ye he k Ahle Bait ka lafz sunkar humara zahan azwaaj mutaharaat ki taraf bilkul nahi jata balki Aap Sallallahu Alaihivasallam ki Sahabzadi Hazrat Fatima Zohra Raziyallahu Anha aur unke Shohar Hazrat Ali Murtuza Raziyallahu Anhu aur dono ki zurriyat ( Hazraat Hasnain Raziyallahu Anhum) hi ki taraf jata he,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 104
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 104
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 2- Ahle Bait aur Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki Dua ▣
◈ Albatta Hadees Paak se ye baat saabit he k jab Surah AL-AHZAB ki ye aayat ( aayat no.33) naajil hui to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne apni Sahabzadi Hazrat Fatima Raziyallahu Anha, unke do no Sahabzado'n (Hazrat Hasan aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhum) aur unke saath unke Shohar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko ek chaadar me apne saath lekar Dua farmai,
" A Allah ! Ye bhi mere Ahle Bait hai'n, inse bhi har tarah ki buraai aur gandgi ko door farma de aur inko mukammal tor per paak saaf farma de,"
◈ Bila shubha Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki ye dua qubool hui aur ye Hazraat bhi Ahle Bait me shamil ho gaye,
Algaraz baat ye he k Azwaaj Mutaharaat( Aap Sallallahu Alaihivasallam ki paak Biviya'n) Ahle Bait me se nahi he balki is lafz ki misdaaq sirf Aap Sallallahu Alaihivasallam ki ek beti, ek damaad aur do nawase hai'n, na to zuban ke lihaaz se durust he aur na Quran Hadees se sabit he,
→balki ek khaas firqe ke fankaro ki saazish ke natije me is galti ne ummat me urfe aam ki haisiyat akhtyar kar li, aur hamari saada dili, bholepan ki vajah se is tarah ki bahut si doosri galat baato ki tarah isko bhi quboole aam hasil ho gaya,
→ jesa k arz kiya ja chuka he k haalat ye ho gayi k " Ahle Bait" ka lafz sunkar humare achchhe pade likhe ka bhi zahan azwaaj mutaharaat ki taraf nahi jaata Jo Quran Majeed ki ru se is lafz ki avvaleen misdaaq hai'n,
➖ Wallahu Muvaffiqu va Huval Musta'aani ➖
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 105
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 105
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 2- Ahle Bait aur Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki Dua ▣
◈ Albatta Hadees Paak se ye baat saabit he k jab Surah AL-AHZAB ki ye aayat ( aayat no.33) naajil hui to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne apni Sahabzadi Hazrat Fatima Raziyallahu Anha, unke do no Sahabzado'n (Hazrat Hasan aur Hazrat Husain Raziyallahu Anhum) aur unke saath unke Shohar Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ko ek chaadar me apne saath lekar Dua farmai,
" A Allah ! Ye bhi mere Ahle Bait hai'n, inse bhi har tarah ki buraai aur gandgi ko door farma de aur inko mukammal tor per paak saaf farma de,"
◈ Bila shubha Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki ye dua qubool hui aur ye Hazraat bhi Ahle Bait me shamil ho gaye,
Algaraz baat ye he k Azwaaj Mutaharaat( Aap Sallallahu Alaihivasallam ki paak Biviya'n) Ahle Bait me se nahi he balki is lafz ki misdaaq sirf Aap Sallallahu Alaihivasallam ki ek beti, ek damaad aur do nawase hai'n, na to zuban ke lihaaz se durust he aur na Quran Hadees se sabit he,
→balki ek khaas firqe ke fankaro ki saazish ke natije me is galti ne ummat me urfe aam ki haisiyat akhtyar kar li, aur hamari saada dili, bholepan ki vajah se is tarah ki bahut si doosri galat baato ki tarah isko bhi quboole aam hasil ho gaya,
→ jesa k arz kiya ja chuka he k haalat ye ho gayi k " Ahle Bait" ka lafz sunkar humare achchhe pade likhe ka bhi zahan azwaaj mutaharaat ki taraf nahi jaata Jo Quran Majeed ki ru se is lafz ki avvaleen misdaaq hai'n,
➖ Wallahu Muvaffiqu va Huval Musta'aani ➖
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 105
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 105
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 3- Azwaaj Mutaharaat Raziyallahu Anhuma ▣
◈ Jesa k Hadees Sharif ki mustanad Rivayat se maloom hota he k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ki Azwaaj Mutaharaat Jo mankuha bivi ki haisiyat se aapke saath thodi ya zyada muddat rahi wo kul 11 hai'n, inke asma'e girami ye hai'n,
◆1- Hazrat Khadija Rd bint Khuveld,
◆ 2- Hazrat Sauda Rd bint Zama'a,
◆ 3- Hazrat Ayesha Rd bint Abu Bakar Rd,
◆4- Hazrat Hafsa Rd bint Umar bin Khattab Rd,
◆5- Hazrat Zenab Rd bint Khuzema,
◆6- Hazrat Umme Salma Rd bint Abi Ummya,
◆7- Hazrat Zenab Rd bint Jahash,
◆8- Hazrat Juveriya Rd bint Haris bin Abi Zaraar,
◆9- Haztat Umme Habiba Rd bint Abu Sufiyan Rd,
◆10- Hazrat Safiya Rd bint Hayi bin Akhtab,
◆11- Hazrat Memuna Rd bint Haris,
⇨ inme se Hazrat Khadija aur Hazrat Zenab bint Khuzema Raziyallahu Anhuma ki wafaat Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki hayaat me hui,
◈ Baaz Rivayaat se maloom hota he k in 11 ke alawa Banu Qureza me se Hazrat Rehana Sham'un ke mutallik maloom hota he k jab Yahood Banu Qurez ki gaddari ki vajah se Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne unke khilaf kaarwahi ki aur unki baqaya ko giraftaar kiya gaya to unme Hazrat Rehana bhi thi,
⇨ baaz kehte hai'n k inhone islaam qubool kar liya to inko azaad karke Huzur Sallallahu Alaihivasallam apne nikah me le liya,
⇨ lekin baaz Rivayaat me inko Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki mankul bivi ka sharf hasil nahi hua, balki ek baandi ki haisiyat se aapke saath rahi, aur Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki hayaat me hi hajjatul Vida ke baad wafaat payi,
➖ Wallahu Aalam ➖
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 107
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 107
◆══◆══◆══◆══◆══◆
⚀ 4- Sarware Do Aalam Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ki Aulad Mubarak ⚀
◈ Huzur Sallallahu Alaihivasallam ki Aulaad ke bare me aqwaal mukhtalif hai'n, sabse zyada motbar aur mustnad qaul ye he k
⇨ 3 Sahabzade Hazrat Qasim, Hazrat Abdullah( inko Tayyab aur Tahir ke naam se bhi pukara jata tha) aur Hazrat Ibrahim
⇨ aur 4 Sahabzadiya Hazrat Zenab,Hazrat Ruqaiya, Hazrat Umme Qulsum,aur Hazrat Fatima Raziyallahu Anhuma thi,
▣ Hazrat Qasim ▣
◈ Aapki Aulaad me sabse pehle Hazrat Qasim paida hue aur sirf 2 saal hayaat rahe, be'ashat nabvi se pehle hi inteqal kar gaye, Aap Sallallahu Alaihivasallam ki kunniyat Abu Qasim inhi se intsaab thi,
▣ Hazrat Zenab Raziyallahu Anha ▣
◈ Hazrat Zenab Raziyallahu anha Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sahabzadiyo me sabse badi hai'n, be'asat se 10 saal pehle paida hui aur islaam layi, Badar ke baad hijrat ki, khalazad bhai Hazrat Abul Aas bin Rabi'a se nikah hua, aur 8 hijri me inteqal hua,
⇨ Ek sahabzade Hazrat Ali aur ek sahabzadi Hazrat Umama Raziyallahu Anha apni yaadgar chhodi,
⇨ Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ke inteqal ke baad Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne Hazrat Umama Raziyallahu Anha se nikaah kiya aur jab Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki shahadat hui to Aapne Mugira bin Nofil ko vasiyat ki k tum Umama se nikaah kar Lena,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 110
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 110
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 5- Abu Lahab aur uske Beto ki Badbakhti ▣
◈ Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha aur Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha dono Sahabzadiya'n Abu lahab ke beto se mansoob thi,
⇨ Hazrat Ruqaiya Rd Utba se aur Hazrat Umme Kulsum Rd Utaiba se faqat nikaah hua tha, rukhsati nahi hui thi, Jab " Tabbat yada Abi lahab" nazil hui to do no beto ne baap ke hukm se dono Sahabzadiyo'n ko talaaq de di,
▣ 6- Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha ▣
◈ Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Hazrat Ruqaiya Rd ka nikaah Hazrat Usman Raziyallahu Anhu se kiya, Hazrat Usman Rd ne jab Habsha ki hijrat ki to Hazrat Ruqaiya Rd bhi aapke saath thi, waha'n inke ek bachcha paida hua jinka naam Abdullah rakha gaya, Jo 6 saal zinda rehkar inteqal kar gaya,
◈ Jis waqt Aap Sallallahu Alaihivasallam gazwa e badar ke liye rawana hue to Hazrat Ruqaiya Rd bimaar thi is vajah se Hazrat Usman Rd Gazwa e badar me shareek na ho sake, unki timaardari me rahe,
Jis Din Hazrat Zaid Rd bin Haris islaam ki Fatah ( Badar Fatah ) ki khabar lekar Madina Munavvara aaye, Hazrat Ruqaiya Rd ne inteqal farmaya, us waqt unki umar 20 saal thi,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 112
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 112
,◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 7- Hazrat Umme Kulsum Raziyallahu Anha ▣
◈ Hazrat Ruqaiya Raziyallahu Anha ki wafaat ke baad maahe Rabiul Avval 2 hijri me Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke nikaah me aayi, 6 saal Hazrat Usman Rd ke saath rahi aur koi aulaad nahi hui, maahe Shaban 9 hijri me inteqal kiya,
▣8- Hazrat Usman Rd ki Azmat ▣
◈ Hazrat Umme Kulsum Rd ka inteqal ho gaya to Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ne ye irshad farmaya k agar meri 10 betiya'n bhi hoti to ek ke baad ek digar Usman ki zojiyat me deta rehta,
▣ 09- Hazrat Ibrahim Raziyallahu Anhu▣
◈ Hazrat ibrahim Rd Aap Sallallahu Alaihivasallam ki akhri aulaad he Jo Hazrat Maariya Qibtiya ke batan se zilhijja 8 hijri me paida hue, qariban 15-16 Maah aap zinda rahe, 10 hijri me inteqal hua,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 113
◆══◆══◆══◆══◆══◆
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 113
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 10- Hazrat Fatima Raziyallahu Anha ▣
◈Hazrat Fatima Raziyallahu Anha Aap Sallallahu Alaihivasallam ki sabse chhoti beti thi, Johra aur Batool ye do aapke laqab the, Baisat ke pehle saal me paida hui aur ibne jozi Rh kehte he k baisat se 5 saal pehle paida hui jab Quresh khana kaaba ki tameer kar rahe the,
◈ 2 hijri me Hazrat Ali Raziyallahu Anhu se nikaah hua, ek qaul ke mutabik Hazrat Fatima Rd us waqt 15 saal sade 5 maah aur Hazrat Ali Rd 21 saal 5 maah, aur doosre qaul ke mutabik Hazrat Fatima Rd 19 saal ded maah aur Hazrat Ali Rd 24 saal ded maah thi, Aap Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat ke baad Ramzan 11 hijri me inteqal farmaya,
◈ Hazrat Fatima Rd Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki sabse zyada mehboob thi, baar baar Aapne farmaya k, "A Fatima ! Kya tu is per raazi nahi k tu jannat ki tamaam aurto'n ki sardaar he, "
Jab aap safar me jate to sabse akhir me Hazrat Fatima Rd se milte aur jab safar se wapas aate to sabse pehle milte,
Jab aap safar me jate to sabse akhir me Hazrat Fatima Rd se milte aur jab safar se wapas aate to sabse pehle milte,
◈ Hazrat Fatima Rd ki 5 aulade'n hui, 3 ladke
( Hazrat Hasan, Hazrat Husain aur Hazrat Mohsin Raziyallahu Anhum )
aur 2 ladkiya'n
( Hazrat Umme Kulsum Rd aur Hazrat Zenab Rd)
Sivae Hazrat Fatima Rd ke aur kisi sahabzadi se Aap Sallallahu Alaihivasallam ki nasal ka silsila nahi chala, Hazrat Mohsin bachpan me inteqal kar gaye, Hazrat Umme Kulsum Rd se Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne nikaah farmaya aur Hazrat Zenab Rd ka nikaah Abdullah bin Jaafar Raziyallahu Anhu se hua,
( Hazrat Hasan, Hazrat Husain aur Hazrat Mohsin Raziyallahu Anhum )
aur 2 ladkiya'n
( Hazrat Umme Kulsum Rd aur Hazrat Zenab Rd)
Sivae Hazrat Fatima Rd ke aur kisi sahabzadi se Aap Sallallahu Alaihivasallam ki nasal ka silsila nahi chala, Hazrat Mohsin bachpan me inteqal kar gaye, Hazrat Umme Kulsum Rd se Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ne nikaah farmaya aur Hazrat Zenab Rd ka nikaah Abdullah bin Jaafar Raziyallahu Anhu se hua,
▣ 11- Hazrat Husain bin Ali Raziyallahu Anhu ▣
◈ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke doosre nawase aur Hazrat Ali Rd v Hazrat Fatima Rd ke chhote sahabzade Hazrat Husain Rd ki wiladat Shaban 4 hijri me hui, Aap Sallallahu Alaihivasallam ne hi inka naam Husain rakha, inko shahad chataya, inke moonh me apni zaban mubarak dakhil karke luaab mubarak ataa farmaya aur inka aqeeqa karne aur Baalo ke hum-vazan chandi sadqa karne ka hukm diya,
◈ Apne bade bhai Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ki tarah Hazrat Husain Raziyallahu Anhu Huzur Sallallahu Alaihivasallam ke mushabe the, Jab Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki wafaat hui to inki umar sirf 6 ya 7 saal thi, Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ke akhri zamana e khilafat me aapne jihaad me shirkat shuru ki, Hazrat Usman Raziyallahu Anhu ke zamane me jab baagiyo ne unke ghar ka muhasba kiya to Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ne apne dono beto Hazrat Hasan aur Hazrat Husain ko unke ghar ki hifazat ke liye muqarrar kar diya tha,
◈ Hazrat Ali Raziyallahu Anhu ki shahadat ke baad jab Hazrat Hasan Rd ne Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu se sulah karke khilafat se dast bardari ke iraade ka izhaar kiya to Hazrat Husain Rd ne bhai ki raay se ikhtilaf kiya lekin bade bhai ke ahatram me unke faisle ko tasleem kar liya,
◈ Albatta jab Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ki wafaat ke baad jab Hazrat Muaviya Raziyallahu Anhu ne apne bete Yazeed ki khilafat ki bait li to Hazrat Husain Raziyallahu Anhu isko kisi tarah bardaast na kar sake aur Yazeed ke khalifa ban jane ke baad Jihaad ke iraade se Madina Taiyaba se Kufa tashreef le gaye aur Karbala ka waq'aa pesh aaya, Aap waha'n 10 Muharram, 61 hijri ko shaheed kar diye gaye,
➖ Raziyallahu Anhu va Arzah ➖
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 162
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 162
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 12- Hazraate Hasnain Raz. ke Fazail ▣
◈ Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke nawase aur Aap Sallallahu Alaihivasallam ke Sahabi hone ka sharf hi kya kam he fir Aap Sallallahu Alaihivasallam ko Hazraate Hasnain Raz.se bahut mohabbat thi, Shafqat v muhabbat ka ye aalam tha k ye dono bhai bachpan me namaz ki haalat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ki kamar mubarak per Chad jate, kabhi kabhi dono taango ke beech me se guzarte rehte aur Aap Sallallahu Alaihivasallam namaz me bhi unka khayal rakhte, jab tak wo kamar per chade rehte Aap Sallallahu Alaihivasallam sazde se sar na uthate,
◈ Aap Sallallahu Alaihivasallam aksar inhe goad me lete, kabhi kandho per sawaar karte, unka bosa lete, unko sunghte aur farmate,
" Tum Allah ki ataa ki hui khushbu ho "
®Jama'a Tirmizi•
" Tum Allah ki ataa ki hui khushbu ho "
®Jama'a Tirmizi•
◈ Sahi Bukhari me Hazrat Adi bin Saabit Raz.se rivayat he k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Hasan Raz. Ko apne kaandhe per sawaar kiye hue the aur ye dua farma rahe the,
" Ey Allah, ye mujhe mehboob he aap bhi ise apna mehboob bana lije, "
® Sahi Bukhari,, 1/530,
® Sahi Bukhari,, 1/530,
◈ Imaam Tirmizi Reh. ne Hazrat Usama bin zaid Raziyallahu Anhu ki hadees zikr ki he k me kisi zaroorat se Aap Sallallahu Alaihivasallam ki khidmat me haazir hua, Aap ghar ke bahar is haal me tashreef laye k Aap Sallallahu Alaihivasallam dono goad me kuchh rakhe hue the, aur chaadar ode hue the, me jab apne kaam se farig ho gaya to arz kiya, ye kya he?
to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne chaadar hata di, mene dekha ek janib Hazrat Hasan aur doosri janib Hazrat Husain hai'n, aur farmaya,
to Aap Sallallahu Alaihivasallam ne chaadar hata di, mene dekha ek janib Hazrat Hasan aur doosri janib Hazrat Husain hai'n, aur farmaya,
" Ey . Allah me in dono se muhabbat karta hu, aap bhi inse muhabbat farmaye'n aur Jo inse muhabbat kare usko bhi tu apna mehboob banale, "
◈ Ek baar Aap Sallallahu Alaihivasallam khutba de rahe the, dono nawase aa gaye, Aapne khutba rok kar dono ko utha liya aur apne paas bethaya fir baqi khutba pura kiya,
◈ Hazrat Hasan Raz. aur Hazrat Husain Raz .dono bhai bahut ibadat guzaar the, dono ne baar baar Madina Taiyaba se Makka Mukarrama tak paidal safar karke hajj kiye hai'n,
Allah ke raaste me kasrat se maal kharch karte the, Judo sakhawat maa'n baap aur nana jaan se virasat me mili thi,
® Maarful Hadees,
Allah ke raaste me kasrat se maal kharch karte the, Judo sakhawat maa'n baap aur nana jaan se virasat me mili thi,
® Maarful Hadees,
➖ Raziyallahu Anhuma va Arzahuma ➖
◈ Aap Sallallahu Alaihivasallam ko apne tamaam ahle Bait me Hazraate Hasnain Raz sabse zyada mehboob the Hazrat Anas Raz riviyat karte hai'n Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam farmate the k ahle Bait me mujhko Hasan aur Husain sabse zyada mehboob hai'n,
® Tirmizi Sharif •
® Tirmizi Sharif •
◈ Aap khuda se apne in mehboobo se muhabbat karne ku dua farmate the, Hazrat Abu Haraira Raz. rivayat karte hai'n k ek martaba me Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath bazaar se lota to Aap Hazrat Fatima Raz.ke ghar tashreef le gaye aur puchha bachche kaha'n hai'n?
Thodi der me dono dodte hue aaye aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam se chimat gaye, Aapne farmaya, khudara me inko mehboob rakhta hu isliye tu bhi inhe mehboob rakh aur inke mehboob rakhne wale ko bhi mehboob rakh,
® Muslim Sharif •
® Muslim Sharif •
◈ Ek martaba Aap Sallallahu Alaihivasallam Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ko kandhe per lekar nikle, ek shakhs ne dekhkar kaha,
" kiya Sahabzade kya achchhi sawari he, "
" kiya Sahabzade kya achchhi sawari he, "
Aap Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Sawaar bhi to kitna achchha he, "
® Tirmizi Sharif•
" Sawaar bhi to kitna achchha he, "
® Tirmizi Sharif•
◈ Nabuwat ki haisiyat ko chhodkar jaha'n tak Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ki bashri haisiyat ka ta'alluq he Hazrat Hasan Raz aur Hazrat Husain Raz.ki zaat goya zaate muhammadi ka juzv thi,
Hazrat Ya'ali Raz.bin Murrah rivayat karte hai'n k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Husain mujhse he aur me Husain se hu'n, Jo shakhs Husain ko dost rakhta he, khuda usko dost rakhta he, Husain Raziyallahu Anhu asbaat ke ek sabt hai'n,
◈ Hazraate Hasnain Raz.ko Aap Sallallahu Alaihivasallam apne jannat ke gul khandan farmate the,
Ibne Umar Raziyallahu Anhu rivayat karte hai'n k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam farmate the, k Hasan aur Husain mere jannat ke do fool hai'n,
® Bukhari Sharif•
Ibne Umar Raziyallahu Anhu rivayat karte hai'n k Rasoolullah Sallallahu Alaihivasallam farmate the, k Hasan aur Husain mere jannat ke do fool hai'n,
® Bukhari Sharif•
◈ Hazraate Hasnain Raz.nojawanane jannat ke sardaar hai'n,
Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu farmate hai'n, Ek martaba mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath magrib aur isha ki namaz padi, isha ki namaz ke baad Aap Sallallahu Alaihivasallam tashreef le chale, me bhi pichhe ho liya, meri awaaz sunkar Aapne farmaya, kon?, Huzaifa,
Mene arz kiya, jee,
Farmaya, khuda tumhari aur tumhari maa'n ki magfirat kare, tumhari koi zarurat he? Dekho abhi ye farishta nazil hua he, Jo isse pehle kabhi na aaya tha, isko khuda ne ijazat di he k wo mujhe salaam kahe aur mujhe basharat de k Fatima jannat ki Aurto'n ki aur Hasan aur Husain Jannat ke nojawano ke sardaar hai'n,
Hazrat Huzaifa Raziyallahu Anhu farmate hai'n, Ek martaba mene Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke saath magrib aur isha ki namaz padi, isha ki namaz ke baad Aap Sallallahu Alaihivasallam tashreef le chale, me bhi pichhe ho liya, meri awaaz sunkar Aapne farmaya, kon?, Huzaifa,
Mene arz kiya, jee,
Farmaya, khuda tumhari aur tumhari maa'n ki magfirat kare, tumhari koi zarurat he? Dekho abhi ye farishta nazil hua he, Jo isse pehle kabhi na aaya tha, isko khuda ne ijazat di he k wo mujhe salaam kahe aur mujhe basharat de k Fatima jannat ki Aurto'n ki aur Hasan aur Husain Jannat ke nojawano ke sardaar hai'n,
® Tirmizi Sharif,
◈ in mushtarak fazail ke alawa Hazrat Hasan Raziyallahu Anhu ke kuchh imtiyazi fazail alag hai'n Jo unhe Hazrat Husain Raziyallahu Anhu se mumtaz karte hai'n, in fazail me sabse badi fazilat ye he k, Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne inke mutalliq pesheen goi farmai thi k
" mera ye beta sayyad he, khuda iske zariye se muslamano ke do bade giroho me sulah kara'ega, "
" mera ye beta sayyad he, khuda iske zariye se muslamano ke do bade giroho me sulah kara'ega, "
Hazrar Amire Muaviya Raziyallahu Abhu se sulah ke waqt Hazrat Hasan Raz.ne is pesheen goi ki amali tasdeeq farmai,
Ek mauke per farmaya k
" Hasan ( raz) ko mera hilm ataa hua he,"
Ek mauke per farmaya k
" Hasan ( raz) ko mera hilm ataa hua he,"
® Ser- al-Sahaba,
◈ Hazrat Husain Raziyallahu anhu ne us jung me bhi shirkat farmai thi jisne 15 hijri ko Kustuntuniya per hamla kiya tha, is hamle me Yazeed bin Muaviya bhi the,
® Al-bidayata v al-nihayata,
◈ Hazrat Husain bin Ali Raziyallahu Anhu inthai mutavaza the, Ek martaba ghode per sawaar guzar rahe the, Gurba ki ek Jama'at nazar aayi Jo zameen per beth kar roti ke tukde kha rahi thi, Aapne unko salaam kiya, un logo'n ne kaha,
" Farzande Rasool ! Hamare saath khana tanavul farmae, "
" Farzande Rasool ! Hamare saath khana tanavul farmae, "
→Aap raz. ghode se utre aur unke saath bethkar khane me shareeq ho gaye,Aapne is mauke per Surah Nahal ki ye aayat tilawat farmai,
" innallahu yuhibbul mustakbireen, "
" innallahu yuhibbul mustakbireen, "
Allah takabbur karne walo ko pasand nahi farmata he,
Farig hone ke baad farmaya, Bhaiyo'n aapne mujhe dawat di mene qubool kiya, ab aap sab meri dawat qubool kijiye, un logo'n ne bhi dawat qubool ki aur Aapke ghar aaye, Sab aakar bethe to Aapne farmaya,
" Rubaab laana Jo bhi bacha hua mehfooz rakha he, "
" Rubaab laana Jo bhi bacha hua mehfooz rakha he, "
® Al- Johar,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 168
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
▣ Shahadat Ke Fazail V Aqsaam ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 168
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
▣ Shahadat Ke Fazail V Aqsaam ▣
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 1- Shahadat ke Fazail -▣
◈ Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ne hamdo sana ke baad irshad farmaya,
" Beshak sachcha kalaam Allah ki kitaab he, sabse mazboot kada taqwa he, sabse behtar millat Hazrat Ibrahim Alaihissalam ki millat he, sabse behtar tareeqa Muhammad( Sallallahu Alaihivasallam) ka he, sabse ashraf kalaam Allah ka zikr he, sabse behtar kissa Quran he, Tamaam kaamo me sabse behtar wo he jisko azmiyat se Ada kiya jaye aur badtareen kaam kaam wo he Jo naye naye ijaad kiye jaye, sabse behtar tor tareeqa Ambiya Alaihissalam ka tor tareeqa he , sabse ashraf maut shahadat aur unka qatl he,
® Hayatussahaba,
◈ is hadees me farmaya gaya k shaheed ka qatl hona sabse ashraf maut he, ashraf ke ma'ani sabse zyada buzurgi wali, sabse zyada laaiqe azmat,
◈ Qurane Kareem me Hazraate Shohda ka darja teesra bayaan farmaya he jesa k irshad he,
" aur jisne kaha maan liya Allah ka aur Rasulullah ka to ye log honge Nabiyo'n ke saath aur Siddiqeen ke saath aur Shohda ke saath aur Aala darja ke nek logo'n ke saath aur bahut hi umda hai'n ye sab Hazraat rafeeq hone ke aitbaar se ( inse zyada umda rafeeq kisi ko mayassar aa sakte hai'n ?)
" aur jisne kaha maan liya Allah ka aur Rasulullah ka to ye log honge Nabiyo'n ke saath aur Siddiqeen ke saath aur Shohda ke saath aur Aala darja ke nek logo'n ke saath aur bahut hi umda hai'n ye sab Hazraat rafeeq hone ke aitbaar se ( inse zyada umda rafeeq kisi ko mayassar aa sakte hai'n ?)
® Surah An-Nisa,
◈ Qurane Kareem ne pehla darja Allah ke Nabiyo'n ka bayan farmaya, doosra Siddiqeen ka, teesra
Shohda ka, chotha Saleheen yani aala darje ke nek logo'n ka jinko hum Auliya Allah kehte hai'n,
Shohda ka, chotha Saleheen yani aala darje ke nek logo'n ka jinko hum Auliya Allah kehte hai'n,
◈ Hum jese gunahgar musalman Jo Allah ta'ala ki aur uske Rasool Huzur Akram Sallallahu Alaihivasallam ki ita'at kare aur ita'at ki koshish karte rahe, Allah ta'ala ese logo'n ko khush khabri de raha he k Qayamat ke unka hashr nabiyo'n, siddiqeen, shohda aur saleheen ke saath hoga aur ye bahut achchhe saathi hai'n, Ye Allah ta'ala ka fazal he jisko Allah ta'ala naseeb farma de,
※ Allah ta'ala hum sabko naseeb farma de, ※
(Ameen ya rabbal alameen
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 2- Shahadat ki maut ka darja ▣
◈ Huzur Sallallahu Alaihivasallam ko Allah ta'ala ne nabuwat ataa farmai aur Shohda Aapke jooto ki khaak hai'n, Aap Sallallahu Alaihivasallam tamam Ambiya Alaihissalam ke sardaar hai'n,
⇨ iske bavjood Aap Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate the k,
" Mera jee chahta he k me Allah ke raaste me qatl ho jau'n fir zinda kiya jau'n, fir qatl ho jau'n fir zinda kiya jau'n fir qatl ho jau'n fir zinda kiya jau'n ( ye silsila chalta hi rahe),"
® Mishkaat Sharif,
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 3- Shaheed Zinda he ▣
◈ Qurane Kareem me irshad he,
" aur Jo Allah ki raah me qatl ho jate hai'n unko murda na kaho balki wo zinda hai'n, magar unki zindgi ka tum sha'ur nahi rakhte, "
® Surah Al-Bakra•
⇨ Aur doosri jagah irshad farmaya,
" Balki wo zinda hai'n aur unke rab ke paas unko rizk diya jata he,
® Surah Aale imraan•
◈ Sahi Bukhari ke hawale se mishkat me hadees he,
" Allah ta'ala ke arshe aazam ke saath qundliya'n latki hui hai'n aur woh shohda ka musqar he, woh shohda ke rehne ki jagah he aur sabz parindo ki shakl me Allah ta'ala unko sawaariya'n ataa farmate hai'n
→ aur unki roohe'n in sabz parindo me jannat ke andar parvaaz karti he aur jaha'n chahti hai'n khati peeti hai'n, "
® Mishkaat Sharif,
⇨ Ye qayamat se pehle ka kissa he, qayamat ke din unke saath Jo maamla hoga wo to Subhanallah ! Kya baat he!
⇨ Ye qayamat se pehle ka kissa he, qayamat ke din unke saath Jo maamla hoga wo to Subhanallah ! Kya baat he!
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 172
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 172
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 4- Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki Shahadat ki Dua ▣
◈ Hazrat Umar Raziyallahu anhu dua farmate the,
→" ya Allah ! Shahadat ki maut naseeb farma aur apne Rasool Sallallahu Alaihivasallam ke shehar me maut naseeb farma,"
• Fir farmate, k Umar 2 baate ikatthi kese ho sakti he, shahadat ki maut bhi maangte ho aur Rasulullah Sallallahu Alaihivasallam ke shehar me bhi maangte ho,
• Jihaad to bahar hota he, Madina me bethkar kese shahadat mil ja'egi?
• Khud hi sawal karte aur khud hi jawab farmate the k
→ " agar Allah chahe to do no ko jama kar sakta he,"
→Aur haqeeqat me Allah ne dono ko jama karke dikha diya, aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ki dua qubool farma li,
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 179
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 179
◆══◆══◆══◆══◆══◆
▣ 5- Husool e Shahadat ka Wazeefa ▣
◈ Hadees Sharif me aata he Jo shakhs rozana 25 martaba ye dua padha kare,
••" Allahumma Baarikli fil mauti wa fima Ba'adal maut ",••
" A Allah ! Mujhe maut me barkat ataa farma aur maut ke baad Jo hota he usme bhi barkat ataa farma , "
◈ Hazrat Ayesha Raziyallahi Anha ne Huzur Sallallahu Alaihivasallam se daryaft kiya k koi shakhs bager shahadat ke bhi shaheedo'n ke saath ho sakta he?
→ Huzur Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya k Jo shakhs din raat me 20 martaba maut ko yaad kare wo ho sakta he,
◈ Ek hadees me he k Jo shakhs 25 martaba
••" Allahumma barikli fil mauti wa fima Ba'adal maut, " ••
→ padhe wo shahadat ke darje me ho sakta he,
® Mirqaat,, 5/ 270
⚀•RєԲ:➻┐
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 180
Shahadate Husain Rd, ( Majmua ifadaat), 180
◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
━─━─━─━─━─━─━─
◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
Talibe Dua ,
◉ Haqq Ka Daayi ◉
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
◉ Haqq Ka Daayi ◉
◐═══◐═══◐═══◐═══◐
۞✵۞
Post a Comment