0
⚜⚜
┄─━━━━□□□━━━━─┄
       *Bismillahirrahmanirrahim*
┄─━━━━□□□━━━━─┄
             *Seerat-un-Nabi ﷺ*
♢━○━●━♢♢♢━○━●━♢
                       *[ Part - 02]*
  *❖ Hamaare Nabi ﷺ ki wafaat ❖*
✺ Jab hamaare Nabi ﷺ ne Allah ka paigaam Allah ke bandon tak pahoncha diya aur har taraf lslaam ka kalima buland ho gaya, to Allah Ta’ala ne apne pyaare Nabi ﷺ ko apne paas bulaane ka iraada farma liya. Chunaanche safar-e-haj se lautne ke 3 maheene baad hamaare Nabi ﷺ ki tabiyat kharaab hone lagi, jab tak Aap ﷺ mein chalne ki taaqat rahi baraabar namaaz padhaane ke liye masjid mein tashreef le jaate rahe, lekin jab chalne ki taaqat khatm ho gayi to Aap ﷺ ne Hazrat Abubakr RaziyAllahu anhu ko namaaz padhaane ka hukm farmaaya,
✺ Aap ki beemaari kam ziyaada hoti rehti thi, peer ki subah Aap ﷺ ki tabiyat kuchh sambhal gayi aur Aap ﷺ ne apne hujre ka parda uthha kar sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu anhuma ko dekha aur muskuraaye, phir achaanak tabiyat ziyaada kharaab hone lagi aur Aap ﷺ baar baar behosh hone lage, is bechaini ke aalam mein bhi Aap ﷺ farma rahe the ke tum log namaaz kabhi na chhodna aur gulaamon se nek bartaao karna. Bil aakhir 12 Rabeeul Awwal 11 Hijri ko peer ke din Aap ﷺ ki rooh-e-mubaarak jism-e-athar se nikal gayi. lnnaa lillaahi wa innaa ilaihi raaji‘oon.
      ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
*❖ Hamaare Nabi ﷺ ke bachche ❖*
✺ Hamaare Nabi ﷺ ke teen bete the:
1) Qaasim RaziyAllahu Anhu,
2) Ibrahim RaziyAllahu Anhu,
3) Abdullah RaziyAllahu Anhu.
✺ Aur chaar betiyaan theein:
1) Zainab RaziyAllahu Anha,
2) Umme Kulsoom RaziyAllahu Anha,
3) Ruqaiyya RaziyAllahu Anha,
4) Fatima RaziyAllahu Anha.
✺ Hamaare Nabi ﷺ ke tamaam beton ka bachpan hi mein inteqaal ho gaya tha aur betiyon ne umr paayi. Hamaare Nabi ﷺ apni pyaari beti Hazrat Fatima RaziyAllahu Anha se bahot muhabbat karte the, unka nikaah Hazrat Ali RaziyAllahu Anhu se huwa aur unse Hazrat Hasan RaziyAllahu Anhu aur Hazrat Husain RaziyAllahu Anhu paida huwe.
      ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
              *❖ Baat cheet ❖*
✺ Pyaare Rasool ﷺ bahot saaf saaf bolte, sunne waale Aap ﷺ ki baat achchhi tarah samajh lete, Aap ﷺ kisi ki baat ke beech na bolte, na aur kisi ko bolne dete. Jo baat achchhi na lagti us se sarfe nazar kar lete ya pyaar se samjha dete, baat karne ka tareeqa bata dete. Aap ﷺ har bar ek ki baat dhyaan se sunte, farmaaya karte ke jis ko koi zaroorat ho woh mujh se zaroor kahe, jo log paas na aasakein doosre log un ki khairiyat bataaein.
✺ Aap ﷺ ka hukm tha ke jis tarah baadshaahon ke saamne taazeem se khada huwa jaata hai us tarah mere saamne koi khada na ho, yeh bhi farmaaya karte ke jo log apne saamne logon ko is tarah khada dekhein aur pasand kare to aise log apni jagah jahannam mein dhoondlein.
✺ Aisa bhi hota ke pyaare Rasool ﷺ apne pyaaron ko dekhte to muhabbat ke maare uthh khade hote. Un ki peshaani choomte. Aap ﷺ ki daai Haleema RaziyAllahu Anha aateen to uthh kar un ke liye chaadar bichhaate aur un ko saamne bithhaate. Pyari beti Hazrat Faatima RaziyAllahu Anha aateen to uthh kar un ki peshaani choomte.
✺ Pyaare Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ko samjha diya tha ke kisi ki buraai mere saamne na karein. Main chaahta hoon ke har ek se saaf dil ho kar duniya se jaaoon. Baat cheet karte waqt lslaami tehzeeb ka bada khayaal rakhte aur us ke Iiye doosron ko bhi taakeed farmaate, is baare mein ameer, gareeb sab ko tokte.
✺ Ek baar Aap ﷺ ke saamne ek bade aadmi ko chheenk aayi, unhon ne “Alhamdulillah” nahin kaha. Phir ek gareeb aadmi ko chheenk aayi to us ne kaha “Alhamdulillah” Aap ﷺ ne us ke jawaab mein “Yarhamukallah” farmaaya (tujh par khuda ki rehmat ho). Ab un bade saaheb ne shikaayat ki ke Huzoor ne mere Iiye rehmat ki dua nahin ki. Aap ﷺ ne unhein jawaab diya ke tum ne Allah ki taareef nahin ki, main ne tum ko dua nahin di, unhon ne Allah ki taareef ki to main ne unhein dua di.
       ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
             *❖ Khaatirdaari ❖*
✺ Pyaare Nabi ﷺ apne saathiyon ke aaraam aur sukh ka bada khayaal rakhte the. Pyaare Rasool ﷺ ke ghar baahar se koi aadmi aata, chaahe woh musalmaan hota ya na hota, Aap ﷺ us ke bhi aaraam ka bada khayaal farmaate.
✺ Aap ﷺ se milne ke liye, Aap ﷺ se Deen ki baatein seekhne ke liye, Aap ﷺ se kuchh pochne ke liye, Aap ﷺ se kuchh kehne ke liye, Aap ﷺ ko dekhne ke liye, aur bahot se kaamon ke liye log Aap ﷺ ke paas aate hi rehte the, ek ek 2 2 aur ziyaada ziyaada bhi. Aap ﷺ sab ki badi khaatir karte, unhein achchhi jagah thhehraate, unhein achchha khaana khilaate, aaraam se sulaate aur raaton ko uthh uthh kar dekhte ke mehmaanon ko koi takleef to nahin, aisa bhi hota ke Huzoor ﷺ ke ghar mein khaane ko kuchh na hota aur mehmaan aajaate, is par bhi Aap ﷺ badi khushi se mehmaanon ke khaane peene ka intezaam farmaate.
✺ Ek baar ek yahoodi Aap ﷺ ke yahaan aaya, thhehra, us din Aap ﷺ ke ghar mein khaane ko kuchh na tha. Aap ﷺ ne ek bakri ka doodh pilaaya woh pi gaya lekin bhooka hi raha. Aap ﷺ ne ek bakri ka doodh aur pilaaya, woh phir pi gaya, lekin raha bhooka hi. Aap ﷺ ne use ek aur bakri ka doodh pilaaya. Woh, woh bhi pi gaya lekin raha bhooka hi. lsi tarah ek ek kar ke Aap ﷺ ne use 7 bakriyon ka doodh pilaaya.
✺ Ek baar ek shakhs Aap ﷺ ke yahaan aaya, raat ko thhehra, khaa pi kar soya to raat ko use dast aagaya. Huzoor ﷺ ne use bistar diya tha, us ne bistar ganda kar diya aur subah hone se pehle ghar se bhaag gaya, Aap ﷺ ne subah ko apne haath se bistar dhoya. Woh shakhs bhaagte waqt apni talwaar yahin bhool gaya tha, darte darte talwaar ke Iaalach mein aaya. Dekha to Huzoor ﷺ ko gandagi dhote paaya. Aap ﷺ ne use sharminda nahin kiya us ki talwaar use dedi aur use dilaasa diya. Woh shakhs Aap ke is bartaao se musalmaan ho gaya.
✺ Pyaare Rasool ﷺ ke pyaare saathiyon mein kuchh aise the jo Deen ki baatein seekhne ke Iaalach mein har waqt Aap ﷺ ke aas paas jama rehte the. Unhein Deen ki baatein seekhne ka kitna shauq tha ke woh kamaane ke liye bhi nahin jaate the ...... Masjid-e-Nabawi ke paas ek chabootra tha. Woh sab usi chabootre par uthhte baithhte aur sote, aur har waqt pyaare Nabi ﷺ ki bataai huwi baaton ko yaad karne mein Iage rehte. Un sab ke khaane peene ki zimmedaari Huzoor ﷺ ne apne sar leli thi. Yeh sab As-haabe Suffa (Chabootre Waale) kehlaate the.
✺ Ek din Ashaab-e-Suffa ko ziyaada bhook Iagi thi. Pyaare Rasool ﷺ un ki haalat dekh kar bechain huwe. Apni pyaari biwi Hazrat Aaisha RaziyAllahu Anha ke ghar gaye farmaaya: “Khaane ko jo kuchh ho, laao.” Ummul Momineen Hazrat Aaisha RaziyAllahu Anha ne mote aate ka paka huwa khaana laakar rakh diya, phir kuchh chhuwaare laaeen, us ke baad doodh se bhara huwa bada pyaala diya, Aap ﷺ yeh sab As-haabe Suffa ke liye le aaye.
✺ Ek baar Aap ﷺ ke kuchh mehmaan aaye. Aap ﷺ ne ek biwi ke ghar kehla bheja ke mehmaanon ke liye khaana bhejein. Un ki biwi ke ghar khud faaqa tha. Aap ﷺ ne doosri biwi ke ghar kehla bheja. Wahaan bhi Allah ke naam ke siwa kuchh na tha. lsi tarah Aap ﷺ ne apni sab biwiyon ke ghar kehla bheja. Magar woh bechaari sab bhooki Allah Allah kar rahi theen aur kisi ke ghar mein daana tak na tha. Ab Aap ﷺ ne pyaare saathiyon se kaha: “In mehmaanon ko kaun kaun khaana khilaayega?" Ek sahaabi uthhe, bole “Main" aur woh mehmaanon ko apne ghar le aaye.
✺ Aur aisa to bahot baar huwa ke Huzoor ﷺ ke gharon mein khaana tayyaar kiya gaya. Itne mein mehmaan aagaye to Aap ﷺ ne mehmaanon ko khaana khila diya aur ghar ke sab log bhooke hi sorahe. Kaise khaatirdaar the pyaare Rasool ﷺ.
       ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
        *❖ Baraabari ka bartaao ❖*
✺ Pyaare Nabi ﷺ kisi insaan ko chhota aadmi (haqeer) nahin samajhte the, ameer ho ya gareeb, bachcha ho ya boodha, koi gulaam ho ya Iaundi, bade khaandaan waala ho ya chhote khaandaan ka, kaala ho ya gora, Aap ﷺ sab ko baraabar ka insaan samajhte the aur sab ki izzat karte the.
✺ Ek din Aap ﷺ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ke saath baithe the, itne mein kaheen se doodh aagaya, Aap ﷺ ki aadat thi ke Aap ﷺ har cheez daahini taraf se baantte the. Aap ﷺ ne zarasa doodh piya, phir daahini taraf dekha, Aap ﷺ ki daahini taraf us din Hazrat Abdullah bin Abbaas RaziyAllahu Anhu baithhe the, jo abhi bachche the, Aap ﷺ ne baayeen taraf dekha to badi umr ke Sahaab RaziyAllahu Anhuma baithhe dikhaai diye, Aap ﷺ ne Abdullah bin Abbaas RaziyAllahu Anhu se kaha: “Miyaan! Haq to tumhaara hi hai lekin agar tum ijaazat do to main pehle in badi umr ke Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ko doodh doon.” Hazrat Abdullah bin Abbaas RaziyAllahu Anhu the to kam umr, lekin Allah ne unhein soojh boojh bahot ziyaada di thi. Unhon ne dil mein socha ke pyaale mein jis jagah pyaare Rasool ﷺ ke hont chhu gaye hain, us jagah sab se pehle apne hont lagaana badi barkat ki baat hai, yeh soch kar bole: “Main yeh barkat haath se na jaane doonga,” yeh suna to Huzoor ﷺ ne doodh ka pyaala unheen ko de diya. Unhon ne 2 ek ghoont doodh usi jagah munh laga kar piya, jahaan se Huzoor ﷺ ne piya tha, us ke baad doosron ko de diya.
      ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
       *❖ Baraabari ka bartaao ❖*
✺ lsi tarah ek baar Aap ﷺ ke daahini taraf ek baddu baithha huwa tha. Aap ﷺ ne Hazrat Anas RaziyAllahu Anhu se peene ka paani maanga. Hazrat Anas RaziyAllahu Anhu ne doodh pesh kiya. Aap ﷺ ne thodasa doodh piya aur Hazrat Anas RaziyAllahu Anhu ko de kar farmaaya ke ab daahini taraf waale ka haq hai. lsi tarah Huzoor ﷺ ke baad baddu ne piya.
✺ Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma jab mil jul kar koi kaam karte to Huzoor ﷺ bhi un mein shaamil ho jaate. Masjid-e-Nabawi banne lagi to Aap ﷺ ne sab ke saath kaam kiya. Sahaaba RaziyAllahu Anhuma rokte ke hamaari jaan Aap par qurbaan ho, Aap takleef na farmaayein lekin Huzoor ﷺ na maante. Aap ﷺ ne is mauqe par sab se ziyaada mehnat se kaam kiya, bade bade wazandaar patthar Aap ﷺ ne laakar dher kar diye, isi tarah ek baar ek khandaq khodne mein sab se ziyaada mushkil kaam Aap ﷺ ne kiya.
✺ Ek baar Huzoor ﷺ kaheen jaarahe the, Sahaaba-e-Kiraam RaziyAllahu Anhuma saath the. Sab ek jagah thhehre, khaana pakaane ka saamaan huwa, sab ne ek ek kaam baant liya. Huzoor ﷺ ne jangal se lakdiyaan laane ka kaam apne zimme Iiya, Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ne mana kiya ke ham to haazir hain, magar Huzoor ﷺ na maane farmaaya: “Mujhe yeh pasand nahin ke main tumhaare beech nawaab ban baithhoon. Khuda us bande ko pasand nahin karta jo apne saathiyon se alag thalag lagta ho."
✺ Ek baar kaafiron se ladaai huwi, us ladaai ke waqt musalmaanon ke paas saamaan kam tha, oont bhi kam the, musalmaan chale to sawaari ke liye ek ek oont teen teen musalmaanon ke hisse mein aaya, sab baari baari se chadhte utarte chalte. Huzoor ﷺ ne bhi aisa hi kiya. Sahaaba RaziyAllahu anhuma ne bahot kaha ke Huzoor sawaar ho kar chalein magar Aap ﷺ ne kisi ki baari nahin Ii. Kaise achchhe the hamaare pyaare Nabi ﷺ..
        ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
              *❖ Sharm-o-Haya ❖*
✺ Pyaare Nabi ﷺ bade hi sharmeele the. Raasta, gali aur bazaaron mein chup chaap chalte. Badan ka jo hissa kapdon se chupaane ke laaiq hota us par bada dhyaan rakhte. Thhatthha laga kar nahin hanste the. Haajat se faarig hone ke liye inti door nikal jaate ke koi dekh na sakta. Kabhi kabhi teen teen miles door chale jaate, us waqt Arab mein gharon ke andar paakhaane banaane ka riwaaj na tha.
✺ Huzoor ﷺ ke bachpan ki woh baat sab jaante hain ke jab kaaba ki marammat hone lagi to Aap ﷺ bhi bachchon ke saath patthar dhote the, patthar dhone mein Aap ﷺ ke kandhe chhil gaye. Aap ﷺ ke chacha Abbaas RaziyAllahu Anhu ne dekha to Aap ﷺ ka tehband khol kar Aap ﷺ ke kandhe par rakh diya, ab jo Aap ﷺ ne apne aap ko nanga dekha to sharm ke maare behosh ho kar gir pade. Us zamaane mein bachche to bachche, badon mein itni sharm nahin thi, bahot se log to nange ho kar kaaba ka tawaaf karte the, koi na samajh saka ke Muhammad ﷺ kiyun behosh hogaye, sab Aap ﷺ ko hosh mein laane ki tadbeer karne lage. Aap ﷺ ko zara hosh aaya to Aap ki zabaan se nikla, "Mera tehband, mera tehband." Ab sab log samjhe ke Aap ﷺ kiyun behosh ho gaye the. Aap ﷺ ko tehband baandha gaya to Aap ﷺ ne aankhein kholeen, uthhe aur phir kaam karne lage. Kaise sharmeele the pyaare Nabi ﷺ.
      ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
         *❖ Ghamand na tha ❖*
✺ Allah Ta’ala ne Aap ﷺ ko apna aakhri Rasool banaaya. Sab se ziyaada Aap ﷺ ko izzat di. Allah ne Aap ﷺ ko saare Arab ki hukoomat ata farmaayi, lekin Aap ﷺ mein guroor aur ghamand zara bhi na tha. Aap ﷺ ghar ka kaam kaaj khud hi kar Iete, baazaar se sauda Ie aate, doosron ka sauda bhi la dete, doodh khud doh Iete, tooti jootiyon ko khud hi gaanthh lete, gareebon aur gulaamon ke saath baithh kar khaana kha Iete.
✺ Ek din Aap ﷺ ghar se nikle. Log Aap ﷺ ko dekh kar adab se khade ho gaye, Aap ﷺ ne mana farmaaya, saath hi yeh farmaaya: Jo shakhs yeh pasand kare ke log us ki taazeem ke Iiye khade hon, woh apna thhikaana Jahannam mein dhoonde.
✺ Ek baar khuchh log milne aaye. Unhon ne kaha: Aap to hamaare maalik hain. Aap ﷺ ne farmaaya: "Maalik to bas Allah hai."
✺ Ek paagal aurat aagai aur kaha: Aye Muhammad! Mujhe tum se kaam hai. Aap ﷺ uthh khade huwe, woh Aap ﷺ ko ek gali mein Ie gai, zameen par baithh gai, Aap ﷺ bhi zameen par baithh gaye, us ne jo kuchh kaha Aap ﷺ ne use itmenaan se suna aur us ki haajat rawaai ki. Phir jab woh uthh kar chali gai to Aap ﷺ uthhe.
✺ Huzoor ﷺ ne Makkah fateh kiya aur jab shaher mein daakhil huwe to Aap ﷺ ek khachchar par sawaar the jis ki lagaam ki jagah khajoor ki chhaal bandhi thi aur Aap ﷺ Allah ka shukr ada kar rahe the.
✺ Ek baar Aap ﷺ apne ek saathi ke ghar gaye. Aap ﷺ ko dekh kar kuchh bachchiyaan aagayeen. Un mein se kisi ne ek sher padha jis ka matlab yeh tha. “Ham mein ek aisa Rasool hai jo kal ki baatein jaanta hai’’ Aap ﷺ ne yeh sher suna to use padhne se rok diya kyun ke kal ki baatein Allah ke siwa koi jaanne waala nahin hai.
✺ Huzoor ﷺ ke pyaare bete Ibrahim jis din Allah ko pyaare huwe us din sooraj gahen tha. Kisi ne kuchh is tarah ki baat kahi ke Nabi ﷺ ke bete ke gam mein sooraj ko garhen lag gaya. Aap ﷺ ne suna to farmaaya: "Galat hai. Soooraj aur chaand mein gahen lagna khuda ke hukm se hota hai. Kisi ki maut aur zindagi se aisa nahin hota."
✺ Ek baar Huzoor ﷺ wuzu farma rahe the, kuchh Sahaaba RaziyAllahu Anhuma ne Aap ﷺ ke wuzu kiye huwe paani ko haathon mein le Iiya aur apne chehre par malne Iage. Aap ﷺ ne poochha: "Tum yeh kyun kar rahe ho?" Unhon ne bataaya ke Allah aur Allah ke Rasool ki muhabbbat mein aisa kar rahe hain. Aap ﷺ ne yeh sun kar farmaaya ke jo Allah ke Rasool ﷺ se muhabbat karna chaahe use chaahiye ke sach bole amaanatdaar bane aur padosi ke saath achchha bartaao kare.
✺ Ek baar kisi ne baat karte karte keh diya ke jo khuda chaahe aur jo Aap ﷺ chaahe. Yeh sun kar Aap ﷺ ne farmaaya: "Tum ne mujh ko khuda ke baraabar us ka saajhi bana diya. kaho ke jo khuda chaahe."
✺ Kaisi achchhi baatein bataate the Aap ﷺ. Aap ﷺ mein zara bhi to ghamand na tha.
       ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
              *❖ Bahaaduri ❖*
✺ Hazrat Anas RaziyAllahu Anhu fartmaate hain ke Huzoor ﷺ se ziyaada bahaadur koi nahin tha. Ek baar Madeenah mein shor sunaai diya ke dushman aagaye, un dinon ek dushman (gassaani) ke chadhaai kar dene ka bada charcha tha aur yeh khatka din raat laga rehta tha. Shor sun kar ham muqaable ke Iiye tayyaari karne lage. Koi apne ghode ki taraf Iapka, koi apna hathiyaar sambhaalne Iaga Iekin sab se pehle Huzoor ﷺ apne ghar se nikle. Jaldi mein ghode par zeen bhi na kasi, Aap ﷺ Madeenah ke aas paas ho aaye. Phir aakar farmaaya: "Ghabraao nahin koi dar ki baat nahin."
✺ Sahaaba RaziyAllahu Anhuma mein ek se ek bahaadur Sahaabi the Iekin tamaam Sahaaba RaziyAllahu Anhuma kaha karte the ke jab ham dushmanon se ladte aur un ka dabaao ham par ziyaada hota to ham sab pyaare Nabi ﷺ ki panaah Iete the.
✺ Badr aur Uhud ki Iadaaiyaan bahot mash-hoor hain. Donon ladaaiyon mein bade ghumsaan ka ran pada tha Iekin dushmanon se ziyaada qareeb Aap ﷺ hi the. Uhud mein Aap ﷺ bahot ziyaada zakhmi hogaye the Iekin muqaable se na hatte.
✺ Hunain ki Iadaai mein dushmanon ne musalmaanon par aise teer barsaaye ke musalmaanon ke paaon ukhad gaye aur woh tittar bittar hogaye Huzoor ﷺ apne khachchar ko ed Iaga Iaga kar aage badha rahe the. Pyaare Sahaaba RaziyAllahu Anhuma Iagaam pakad pakad kar rokte aur kehte ke Huzoor! Dushman to Aap hi ki taak mein hai. Phir bhi Huzoor ﷺ aage badhte gaye. Hazrat Bra RaziyAllahu anhu ek bahaadur Sahaabi the, un se kisi ne poochha: "Kya tum log Hunain ki ladaai mein bhaag khade huwe the?" Unhon ne kaha: "Haan yeh sach hai lekin main gawaahi deta hoon ke Nabi ﷺ na ghabraaye, na peechhe hate. Khuda ki qasam! Jab ghumsaan ka ran padta to ham Huzoor ﷺ hi ke paas aakar panaah lete the. Ladaaiyon mein sab se ziyaada bahaadur woh samjha jaata tha jo Aap ﷺ ke saath khada rehta tha."
✺ Hawaazin ke muqaable mein musalmaanon ke qadam ukhde aur Huzoor ﷺ akele reh gaye to Aap ﷺ ne naara maara: "Main sachcha Nabi hoon aur Abdul Muttalib ki aulaad hoon." Phir Abbaas se kaha: “Neze waalon lo pukaaro." Hazrat Abbaas RaziyAllahu Anhu Huzoor ﷺ ke ghode ki lagaam thaame huwe saath saath daud rahe the un ki aawaaz bahot buland thi. Unhon ne musalmaanon ko pukaara. musalmaan palat pade aur unhon ne ladaai jeet Ii.
✺ Ubai bin Khalf Aap ﷺ ka Jaani dushman tha. Woh bada bahaadur aur phurteela sipaahi tha. Woh 1000 bahaaduron ke baraabar samjha jaata tha. Uhud ki Iadaai mein woh apne mazboot ghode par sawaar ho kar aaya. Woh Huzoor ﷺ ki taak mein tha. Ek baar woh ghoda udaata chala. jo saamne aaya use hata diya. Seedha Aap ﷺ par hamla karne badha. Musalmaanon ne yeh dekha to ghabra gaye. Sab badhe ke use roke.
✺ Aap ﷺ ne farmaaya: “Aane do.” Sahaaba RaziyAllahu Anhuma alag hat gaye. Aap ﷺ neza Ie kar badhe us ke paas pahonche aur dheere se neze ki nok us ki gardan mein chubhodi. Bas itne mein woh cheekh maar kar bhaaga. Use cheekhte chillaate dekha to us ke saathiyon ne kaha: Are tu aisa bahaadur aur itni si chot kha kar buri tarah chinghaad raha hai. Us ne jawaab diya: "Haan, tum sach kehte ho. lekin yeh Muhammad ke haath ki chot hai."
✺ Aise bahaadur the hamaare pyaare Nabi ﷺ.
         ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
         *❖ Aap ﷺ sachche the ❖*
✺ Pyaare RasooI ﷺ bade sachche the. Aap ﷺ ne kabhi koi jhoot baat zabaan se na nikaali. Aap ﷺ abhi Nabi nahin huwe the ke Arab waalon ne Aap ﷺ ko Saadiq (Sachcha) keh kar pukaara. Yeh Arab mein sab se bada khitaab tha. Jab Aap ﷺ Nabi huwe aur lsIaam phailaana shuru kiya to bahot se log Aap ﷺ ke dushman hogaye.
✺ Dushman to hamesha taak mein rehta hi hai ke zara si baat pa jaata hai to mash-hoor kar deta hai ke fulaan aisa hai, aisa hai. Koi baat na mile to apni taraf se jhoot ghad kar keh deta hai, Iekin Nabi ﷺ ke kattar se kattar dushman ne bhi Aap ﷺ ko kabhi jhoota nahin kaha. Woh Aap ﷺ ko tarah tarah se koste the, tauba tauba! Majnoon aur shaair tak kehte, jaan lene par tule the, Iekin kisi ne yeh nahin kaha ke Muhammad ﷺ jhoote hain.
✺ Aap ﷺ ka sab se bada dushman Abu Jahal tha. Woh kaha karta tha ke “Aye Muhammad! Main tum ko jhoota nahin kehta. Haan tum jo yeh kehte ho us ko main thhek nahin samajhta.’’ (is ka matlab lslaam ke buniyaadi aqeedon se the jo Qur'aan pesh kar raha tha) Badr ki ladaai mein jab musalmaanon ka muqaabla Makkah ke kaafiron se huwa to qureshi lashkar mein se ek sardaar Abul Bakhtari ne Huzoor ﷺ ki taraf se ishaara kar ke Abu Jahal se poochha: “Sach bata! Yeh shakhs kesa hai?’’ Abu Jahal ne jawaab diya: “Bada hi sachcha hai.’’ Yeh Jawaab sun kar Abul Bakhtari ne kaha: “Tu phir musalmaan kiyun nahin ho jaata aur musalmaanon se kiyun ladta hai?’’ Jawaab diya: “Yeh nahin ho sakta ke main Bilaal jaise gulaamon ke saath baithhoon’’ (Hazrat Bilaal Raziyallahu anhu gulaam the aur us zamaane mein gulaamon ko bada hi zaleel samjha jata tha).
✺ Abu Jahal ke baad Abu Sufyaan ka number tha, yeh ek baar Rome ke baadshaah Hiraql ke darbaar mein gaye. Us ne Abu Sufyaan se Huzoor ﷺ ke mutaalliq chand sawaalaat kiye, ek sawaal yeh poochha: “Tumhaare yahaan jo shakhs apne ko Nabi kehta hai, kya us ne kabhi jhoot bola?’’ Abu Sufyaan ne jawaab diya: “Nahin, Muhammad jhoote nahin hain.’’ Yeh suna to baadshaah ne kaha: “Mujhe yaqeen hai ke agar woh shakhs (Yaani Muhammad ﷺ) khuda par jhoot bolta to aadmiyon se jhoot bolne mein na chookta.’’
✺ Sach much bade sachche the Hazrat Muhammad ﷺ.
        ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
            *❖ Amaanatdaari ❖*
✺ Pyaare Rasool ﷺ bade hi amaanatdaar the. Jo log Aap ko rupiya paisa ya saamaan rakhne ko date to Aap ﷺ us saamaan ya rupiye ko badi dekh bhaal ke saath rakhte. Use apne kaam mein na laate aur na us mein kami karte. Log baahar jaate to apni cheezein Aap ﷺ ke supurd kar jaate. Aur jab aate waisi ki waisi le lete.
✺ Hazoor ﷺ ki amaanatdaari itni mash-hoor hogai ke Nabi hone se pehle hi log Aap ﷺ ko "Ameen" kehne lage the. Yaani bahot bada amaanatdaar. Jo log Aap ﷺ ki jaan ke dushman the woh bhi Aap ﷺ ko bada hi amaanatdaar samjhte the. Jab Aap ﷺ Makkah se Madeenah hijrat farmaane lage to bahot se kaafiron ki amaanatein Aap ﷺ ke paas theen. Chalte waqt sab Hazrat Ali RaziyAllahu Anhu ko deen aur bata diya ke kis kis ki amaanat hai taake woh un ko de dein.
✺ Pyaare Nabi ﷺ ne ek Hadees mein farmaaya ke jo aadmi yeh chaahta hai ke Allah aur Rasool ﷺ us se muhabbat karein use chaahiye ke jab baat kare sach bole aur us ke paas amaanat rakhi jaaye to dekh bhaal rakhe aur waapas kar de.
✺ Pyaare Nabi ﷺ ne yeh bhi farmaaya ke amaanat mein gad bad karne waala munaafiq hota hai yaani woh zabaan se chaahe apne ko musalmaan kahe lekin woh haqeeqat mein sachcha musalmaan nahin rehta.
        ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
         *❖ Waade ke Sachche ❖*
✺ Pyaare Nabi ﷺ kisi se waada karte to use zaroor poora farmaate. Jab Aap ﷺ Nabi nahi huwe the us waqt ki baat hai. Ek saahab the. Un ka naam Abdullah tha. Woh Aap ﷺ ko ek jagah mile. Len den ki koi baat hui. Unhon ne kaha: "Achchha isi jagah thhehriye, main aakar hisaab kar doonga." Yeh keh kar woh chale gaye lekin baat un ke dhyaan se utar gai. Teesre din usi taraf phir nikle dekha to Aap ﷺ waheen baithe hain. Abdullah bahot sharmaaye.
✺ Pyaare Nabi ﷺ waade ke aise sachche the ke Aap ﷺ ke dushman bhi maante the. Ek baar Rome ke baadshaah ne Abu Sufyaan se yeh bhi poochha the ke tumhaare yahaan jo saahab apne ko Nabi kehte hain, woh waade ke sachche bhi hain? Abu Sufyaan us waqt Huzoor ﷺ ke jaani dushman the lekin unhon ne baadshaah ke saamne iqraar kiya ke Muhammad waade ke sachche hain ﷺ.
✺ Badr ke maidaan mein musalmaanon ki Makkah ke kaafiron se ghumsaan ki ladaai hui, musalmaanon ki taadaad sirf 313 aur kaafiron ki taadaad 1000 thi usi zamaane mein kuchh musalmaan Makkah se aarahe the. Makkah ke kaafiron ne un ko roka aur kaha ke tum Muhammad (ﷺ) ke paas jaarahe ho, unhon ne inkaar kiya, kaafiron ne is waade par chhoda ke ladaai mein Muhammad (ﷺ) ka saath na doge, unhon ne maan liya, phir Huzoor ﷺ ke paas aaye, saara haal kaha. Aap ﷺ ne farmaaya: “Jab tum ne ladaai mein shareek na hone ka waada kiya hai to tum jaao, hamein sirf Allah ki madad chaahiye.”
✺ Jab Aap ﷺ ne Makkah fatah kiya to bahot se log musalmaan ho gaye. Bahot se log bhaag gaye. Musalmaan hone waalon ne apne ghar waalon ki maafi ke liye kaha. Huzoor ﷺ ne waada farma liya. Phir jab bhaagne waale waapas aaye to Aap ﷺ he unhein sach much maaf farma diya, haalaanke un mein Aap ﷺ ke bade bade dushman the. Safwaan bin Umayyah, Ikrama bin Abi Jahal aur aise hi doosre log. Aap ﷺ ki is maafi se sab musalmaan ho gaye. Allah un sab se razi ho.
           ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
       *❖ Buraai ke badle bhalaai ❖*
✺ Pyaare Rasool ﷺ ke saath koi buraai karta to Aap ﷺ use maaf farma dete. Maaf hi nahin balke buraai ka badla bhalaai se dete. Aap ﷺ ka yeh tareeqa zindagi bhar raha. Aaye din Aap ﷺ apne dushmanon ko maaf kar dete.
✺ Huzoor ﷺ jab Makkah mein the to ek baar Taaif gaye. Aap ﷺ ne wahaan ke logon se kaha: “Allah ko ek maano mujhe us ka Rasool jaano. Aakhirat ki pakad se daro. Buton ki pooja se parhez karo. Buraaiyaan chhodo aur Allah se rishta jodo.’’ Yeh sun kar Taaif waale bigad gaye. Aap ﷺ ko bahot bura bhala kaha, aawaara ladkon ko Aap ﷺ ke peechhe laga diya unhon ne Aap ﷺ par patthar barsaaye jis se Aap ﷺ lahu lahaan ho gaye. Aap ﷺ chotein kha kar gir pade. Aap ﷺ ke khaadim Hazrat Zaid bin Haarisa RaziyAllahu anhu Aap ﷺ ko uthha kar ek baag mein le gaye. Unhon ne Aap ﷺ se kaha: Huzoor! Aap Taaif waalon ke liye bad dua kiyun nahin kar dete? Aap ﷺ ne haath uthhaaye aur bad dua ke badle Taaif waalon ke liye Allah se dua ki ke aye Allah! Unhein maaf kar de. Yeh kuchh jaante nahin, aakhirat ko maante nahin, aye Allah unhein bakhsh de.
✺ ls dua ka yeh asar huwa ke aage chal kar Taaif waale musalmaan ho gaye aur un mein bade bade bahaadur log paida huwe aur phir un logon ne islaam ko khoob phailaaya.
✺ Zaid bin Sa'nah ek yahoodi tha, ek baar Huzoor ﷺ ne us se qarz liya aur ada karne ki ek taareekh taye ki, magar woh taareekh se pehle hi maangne aagaya. Us ne bhari mehfil mein Huzoor ﷺ ka girebaan pakda aur Aap ﷺ ko bura bhala kehne laga ke tum taal matol kar ke meri raqm maar loge is baat par Hazrat Umar RaziyAllahu anhu ko sakht gussa aaya, bole: “O Allah ke dushman! Tu Allah ke Rasool ke baare mein aisi buri baat kehta hai?”
✺ Nabi ﷺ muskuraaye, Hazrat Umar RaziyAllahu anhu se farmaaya: Aye Umar! Tum ko chaahiye tha ke mujh se kehte ke qarza ada kardo aur us se kehte ke saleeqe se taqaaza karo, Aye Umar! Inhein lejaao aur jitna haq is ka banta hai woh de do aur jo tum ne is ko dhamkaaya hai us ke badle use 20 saa (saa ek wazan hota hai) khajoorein aur do.
✺ Ek baar ek baddu aaya, woh masjid mein aakar khade khade peshaab karne laga. Log daude ke use peetein Aap ﷺ ne farmaaya: “Jaane do aur peshaab par paani bahaado aur dekho! Allah ne tumhein narmi ke liye bheja hai, sakhti ke liye nahin.”
✺ Ek baar ek baddu aaya. Us ne aate hi Huzoor ﷺ ki chaadar is zor se kheenchi ke pyaare Rasool ﷺ ki gardan laal hogai aur badi sakhti se kaha ke Allah ka jo maal aapke paas hai, us mein se mujhe bhi do, Aap ﷺ ne us ki taraf mud kar dekha aur muskura kar farmaaya: ise kuchh dedo.
✺ Ek baar Makkah waalon ne Aap ﷺ ka boycott kar diya. Na kuchh khaane ko dete aur na kuchh aur zaroorat ki cheezein Aap ﷺ ke paas jaane dete. Huzoor ﷺ ke saath bachche, aurtein aur boodhe bhook ke maare tadapte. 3 baras tak isi tarah boycott raha. Jab Aap ﷺ Madeenah aaye to Yamaama ke raees Sumaama musalmaan hogaye. Unhon ne ek baar qasm khaali ke pyaare Rasool ﷺ ki ijaazat ke bagair Makkah waalon ko ek daana bhi na diya jaayega. Makkah mein galla waheen se aata tha. Ab to Makkah mein qahat pad gaya. Makkah waalon ne ghabra kar Huzoor ﷺ se kaha, Huzoor ﷺ ko taras aagaya aur kehla bheja ke Sumaama! Galla bhej do.
✺ Makkah ke kaafir musalmanon ko kaisa sataate the. Dopahar ke waqt tapti huwi ret mein lita dete. Paani mein dupkiyaan dete, maarte peette aur qatl kar dete. Hazrat Khabbaab RaziyAllahu ahnu ko jalte huwe koylon par lita diya, jis se un ki peethh jal gai aur charbi nikal gai. Woh gusse mein aaye. Huzoor ﷺ se kaha: “Ya Rasoolallah ! In ke liye bad dua kijiye.” Yeh sunte hi Huzoor ﷺ ka chehra laal ho gaya. Aur kuchh musalmaanon ne bhi bad dua karne ko kaha. Aap ﷺ ne farmaaya: “Main duniya mein rehmat bana kar bheja gaya hoon, zehmat bana kar nahin.’’
✺ Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu ki maan musalmaan nahin hui theen. Woh roz Huzoor ﷺ ko gaaliyaan diya karteen. Yeh gaaliyaan sun kar Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu ko bada dukh hota. Unhon ne aakar Huzoor ﷺ se kaha: “Meri maan ke liye dua kijiye.’’ Aap ﷺ ne un ke liye musalmaan hone ki dua ki. To Hazrat Abu Hurairah RaziyAllahu anhu khush ho gaye, daude daude ghar gaye, maaloom hua ke maan to naha rahi hai. Nahaane ke baad apne aap musalmaan hogaeen. Unhon ne Kalima-e-Shahaadat padh liya.
*Ashhadu allaailaahaa illallaahu wa ashhadu anna muhammadan abduhoo wa rasooluhoo*
        ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
         *❖  Bachchon se pyaar  ❖*
✺ Pyaare Rasool ﷺ bachchon se muhabbat karte the. Aap ﷺ kaheen jaate hote, raaste mein bachche milte to Aap ﷺ unhein apne saath sawaari par kisi ko aage aur kisi ko peechhe bithha lete. Un se achchhi achchhi baatein karte. Khajoorein ya un ke dene ke laaiq kuchh cheez hoti to unhein baantte. Unhein pyaar karte. Ek baar ek baddu ne dekha to bola: “Aap bachchon ko pyaar karte hain? Mere 10 bachche hain, maine kabhi kisi ko pyaar nahin kiya.” Aap ﷺ ne famaaya: “Agar Allah tumhaare dil se rahem chheen le to main kya karoon.”
✺ Ek din Aap ﷺ ke paas ek sahaabi Hazrat Khaalid bin Saeed RaziyAllahu anhu aaye. Un ke saath un ki bachchi bhi thi. Us bachchi ka naam Umme Khaalid tha. Bachchi aakar Huzoor ﷺ ke kandhon se khelne lagi. Hazrat Khaalid ne daanta lekin Huzoor ﷺ ne mana farmaaya.
✺ Huzoor ﷺ ke ek gulaam the; Zaid, Aap ﷺ ne Zaid RaziyAllahu Anhu ko paala tha. Zaid RaziyAllahu Anhu ke bete Usaama RaziyAllahu Anhu the. Usaama se Huzoor ﷺ ko muhabbat thi. Farmaaya karte ke Usaama agar beti hote to main use zewar pehnaata aur apne haathon us ki naak saaf karta.
✺ Ek baar Eid ke din Aap ﷺ munh dhaank kar lete huwe the. Kuchh bachchiyaan ghar mein aaeen aur daf bajaane lageen, itne mein Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu Anhu aaye. Unhon ne bachchiyon ko daanta. Huzoor ﷺ ne suna. Aap ﷺ ne munh par se chaadar hataai aur farmaaya : “Un ko khushi manaane do, aaj un ki Eid hai.”
         ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
               *❖   Narm dili   ❖*
✺ Pyaare Nabi ﷺ dil ke bade narm the. Dukh ki baat hoti to Aap ﷺ ka dil bhar aata aur aansu nikal aate.
✺ Ek baar ek sahaabi ne apna puraana qissa sunaaya jab woh musalmaan nahin huwe the ke meri ek chhoti bachchi thi. Hamaare khandaan mein ladkiyon ke maar daalne ka tareeqa chala aata tha. Main ne bhi apni ladki ko zinda dafan kar diya. Woh abba abba pukaar rahi thi aur main us par mitti daal raha tha.
✺ Pyaare Rasool ﷺ yeh sun kar ro pade. Aap ﷺ ne un se kaha: Phir sunaao, unhon ne phir sunaaya to Aap ﷺ phir roye. Itna roye ke chehra aansuon se tar ho gaya.
✺ Ek ladaai mein kuchh qaidi haath aaye to Aap ﷺ ne Sahabaa RaziyAllahu Anhuma se farmaaya ke un ke saath bhalaai ka muaamla karo aur achchha sulook karo.
✺ Ek baar Hazrat Sa'd bin Ubaada RaziyAllahu anhu beemaar huwe, Aap ﷺ un ko dekhne gaye to Aap ﷺ ka dil bhar aaya aur Aap ﷺ rone lage, Aap ﷺ ko rota dekh kar log ro pade.
✺ Hazrat Mus'ab bin Umair RaziyAllahu Anhu Makkah ke ek raees ke bete the. Bade laad pyaar se paale gaye the. Jawaan hone par musalmaan ho gaye to maan baap dushman ho gaye, maara peeta, qaid kar diya. Ghar se nikaal diya. Ek din Hazrat Mus'ab bin Umair RaziyAllahu Anhu Huzoor ﷺ ke paas aaye to sab ne dekha ke resham ke kapdon ke badle woh ek kambal odhe huwe the, woh bhi phata huwa tha, yeh dekh kar Huzoor ﷺ ko bada dukh huwa, Aap ﷺ ne gardan jhukaali.
✺ Ek baar ek sahaabi aaye. Woh chaadar mein chidya ke bachchon ko chhupaaye huwe the. Aap ﷺ ne hukm diya: “Jaao! Unhein jahaan se laaye ho, waheen rakh aao.”
✺ Ek baar Aap ﷺ safar mein the. Raaste mein thhere to ek shakhs ne ek chidya ke ghonsle se us ka anda nikaal liya. Chidya ande ke maare par maarne lagi. Huzoor ﷺ ne dekha to farmaaya: “Ande waheen rakh do.”
✺ Ek baar ek bhooke oont ko dekha to farmaaya: “In bezabaanon ke baare mein bhi khuda se daro.” Jaanwaron par agar koi ziyaada bojh laadta to Aap ﷺ mana farma dete.
✺ Ek baar Aap ﷺ ke ghar mein kuchh aurtein ikatthhi theen. Yeh sab aurtein rishtedaar theen aur badh badh kar baatein kar rahi theen. Itne mein Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu aaye to sab uthh kar chal deen. Huzoor ﷺ hans pade. Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu ne kaha: “Allah aap ko hamesha hansta rakhe! Aap kyun hanse?” Farmaaya: “Mujhe in aurton par hansi aayi ke tumhaari aawaaz sunte hi chal deen.” Ab Hazrat Umar RaziyAllahu Anhu ne un aurton se kaha: “Tum mujh se itna darti ho aur Huzoor ﷺ se nahin darti?” Aurton ne jawaab diya: “Pyaare Rasool ﷺ tum se ziyaada narm dil hain.”
      ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
        *❖   Afw wa darguzar   ❖*
✺ Allah ka Deen phailaane ke silsile mein kaafiron ne Aap ﷺ ko gaaliyaan deen. Aap ﷺ ki hansi udaai. Aap ﷺ ko bura kaha. Aap ﷺ ko maara peeta. Aap ﷺ ko sataaya. Aap ﷺ ka boycott kiya. Qatl karne ki koshishein keen. Lekin jab Allah ne Aap ﷺ ko taaqat wa galba ata kiya to Aap ﷺ ne kisi se badla nahin liya. Aisi bahot si baaton mein se kuchh baatein suniye.
✺ Hazrat Hamzah RaziyAllahu Anhu Aap ﷺ ke pyaare chacha the. Bade bahaadur aadmi the. Islaam ke liye kaafiron se khoob lade, un ke saamne Huzoor ﷺ ko koi bura kehta to lad padte, kaafiron ke bade bade sardaar un ke haathon maare gaye. Ek ladaai mein wahshi ne chhup kar Aap RaziyAllahu anhu ko shaheed kar diya. Hazrat Hamzah RaziyAllahu Anhu ke marne ka Huzoor ﷺ ko umr bhar gam raha.
✺ Phir jab Makkah fateh hogaya to wahshi Huzoor ﷺ ki khidmat mein aaya aur maafi maangi. Wahshi ko dekh kar Huzoor ﷺ ko chacha yaad aagaye. Aap ﷺ ne un se sirf yeh kaha:  “Achchha jaao, maaf kar diya, lekin ab mere saamne na aana, tum ko dekh kar chacha Hamzah yaad aa jaate hain.” Abu Sufyaan ki biwi Hinda ne Hazrat Hamzah RaziyAllahu Anhu ka seena cheer kar gusse mein kaleja chaba daala aur naak kaan kaat kar haar banaaya lekin jab Hinda ne aakar maafi maangi to use bhi maaf kar diya.
✺ Hubaar bin Aswad Huzoor ﷺ ka kattar dushman tha. Huzoor ﷺ ki pyaari beti Hazrat Zainab RaziyAllahu Anha Makkah se Madeenah ko hijrat karne lagi to Hubaar dauda aur un ko oont par se gira diya. Hazrat Zainab RaziyAllahu Anha ke itni chot aayi ke woh zinda na reh sakeen lekin jab us ne aakar maafi maangi to use bhi maafi dedi.
✺ Huzoor ﷺ hijrat ke liye Makkah se nikle to Makkah ke kaafiron ne yeh elaan kiya ke jo Muhammad ka sar kaat laaye, use surkh baalon waale 100 oont inaam mein diye jaaeinge. Laalchi kaafir daud pade. Ek kaafir tha “Suraaqa”, woh ghode par sawaar huwa Huzoor ko talaash karta huwa paas pahonch gaya. Chaaha ke waar kare ke us ka ghoda ghutnon tak baalu mein dhans gaya. Ghode se utar kar lagaam pakad kar ghode ko kheencha. Ghode ko baalu se nikaala phir badha lekin ghoda phir ghutnon tak dhans gaya. 3 baar aisa hi huwa. Ab woh ghabraaya. Us ne maafi maangi, Aap ﷺ ne use bhi maafi de di.
       ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
       *❖   Jism-e-Mubaarak   ❖*
✺ Pyaare Nabi ﷺ na ziyaada lambe the na chhote qad. Na ziyaada duble the na mote. Aap ﷺ ka sar bada tha, peshaani chaudi, naak lambaai liye huwe, bhawein ghani, palkein lambi, aankhein badi badi aur surmageen, daadhi bhari huwi, gardan oonchi aur chehra khada khada tha. Aap ﷺ ke chehre par ziyaada gosht na tha. Aap ﷺ ke baal na ziyaada ghungriyaale the aur na bilkul seedhe. Aakhir umr tak baal bilkul kaale rahe. Aap ﷺ un mein aksar tel daalte. kanghi karte aur maang nikaalte the.
✺ Aap ﷺ ke donon shaanon ke beech-o-beech kabootar ke ande ke baraabar ubhra huwa surkh gosht tha, jis par til aur baal the. Donon shaane gosht se bhare huwe the, mondhon ki haddiyaan badi thien, hatheliyaan chaudi aur narm, kalaaiyaan lambi aur naazuk, paaon ki ediyaan halki theen. Paaon ke talwe beech se zara zara khaali the. Talwon ke beech se paani nikal jaaya karta tha. Huzoor ﷺ ke jism-e-mubaarak ki jild badi narm aur mulaayam thi.
✺ Rang roop gora chatta surkhi ki jhalak liye huwe tha. Aap ﷺ bade hi khoobsoorat the. Jo dekhta us ke dil mein Aap ﷺ ki muhabbat paida hojaati. Aap ﷺ ka paseena moti ki tarah jhalakta aur us mein badi achchhi khusbu aati. Huzoor ﷺ badi tez chaal chalte the. Chalte waqt aisa maaloom hota ke jaise Aap ﷺ dhalwaan zameen se utar reahe hain.
       ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
       *❖  Akhlaaq wa Aadaat  ❖*
✺ Hamaare Nabi ﷺ sab se muhabbat se milte the, Aap kisi ko bura bhala nahin kehte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot bahaadur aur taaqatwar the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ mazboot iraade waale aur buland himmat the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot sakhi the, kabhi kisi ko khaali haath nahin lautaate the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ kabhi apni zaat ke liye kisi se badla nahin lete the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ takleef pahonchaane waalon ke liye duaa-e-khair karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ susti aur kaahili ko bahot na pasand farmaate the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ ameer-o-gareeb, aaqaa-o-gulaam har ek ke saath baraabari ka sulook karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ apne oopar zulm karne waalon ko maaf kar diya karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot sharmeele the, hamesha nigaah neechi rakhte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ khaane peene aur pehanne mein saadgi ikhtiyaar karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot mehmaan nawaaz the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ musee-baton aur aazma-aishon par sabr karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ Allah ki bahot ziyaada ibaadat karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ ghar ke chhote mote kaam khud kar liya karte the.
✺ Hamaare Nabi ﷺ safaai ko pasand karte the aur gandagi se nafrat karte the.
         ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
          *❖  Sawaal  Jawaab  ❖*
✺ Seerat ke is mazmoon ke tahat Islaami Maaloomaat ke tarz par sawaal-o-jawaab ka hi andaaz ikhtiyaar kiya gaya hai. Hamaare Nabi ﷺ ki zindagi ke baare mein un baaton ko jama kiya gaya hai jin ka jaanna bahot zaroori hai.
✺ In tamaam sawaalaat ke jawaabaat ko ijtemaai taur par yaad kara diye jaayein.
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Nabi kise kehte hain?
*✾ Jawaab :* Nabi Allah Ta'ala ke nek bande hote hain, jo Allah Ta'ala ke ahkaam Allah ke bandon tak pahonchaate hain.
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ka naam kya hai?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ka naam Hazrat Muhammad ﷺ hai.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/237]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ kahaan paida huwe?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ Makkah Mukarramah mein paida huwe.
[A'alaamun Nubuvva : 1/198]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ kab paida huwe?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ Rabi-ul-Awwal ke maheene mein peer ke din paida huwe.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/294]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ke waalid ka naam kya hai?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ke waalid ka naam Abdullaah hai.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/294]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ Ki waalida ka naam kya hai?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ki waalida ka naam Aamina hai.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/305]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ke dada ka naam kya hai?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ke dada ka naam Abdul Muttalib hai.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/305]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ke chacha (jinhon ne Aap ﷺ ki parwarish ki) ka naam kya hai?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ke chacha ka naam (jinhon ne Aap ﷺ ki parwarish ki) Abu Taalib hai.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/318]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ke kitne bete the?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ke teen bete the;
(1) Abdullaah RaziyAllahu Anhu,
(2) Qaasim RaziyAllahu Anhu,
(3) Ibraheem RaziyAllahu Anhu.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/264]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ki kitni betiyaan theein?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ki chaar betiyaan theein;
(1) Zainab RaziyAllahu Anha,
(2) Ruqaiyya RaziyAllahu Anha,
(3) Umme Kulsum RaziyAllahu Anha,
(4) Faatima RaziyAllahu Anha.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/264]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ki umr mubaarak kitni thi? 
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ki umr mubaarak 63 saal thi.
[Sahih Bukhaari : 4466]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ko nubuvvat kab mili?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ko nubuvvat 40 saal ki umr mein mili.
[Sahih Bukhaari : 3851]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Arab ke log hamaare Nabi ﷺ ko kya kehte the?
*✾ Jawaab :* Arab ke log hamaare Nabi ﷺ ko Saadiq (sachcha) aur Ameen (amaanatdaar) kehte the.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/94]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ Makkah mein kitne saal rahe?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ Makkah mein 53 saal rahe.
[Sahih Bukhaari : 3851]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Sab se aakhri nabi kaun hain?
*✾ Jawaab :* Sab se aakhri nabi Hazrat Muhammad ﷺ hain.
[Abu Daawood : 4252]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ Madinah mein kitne saal rahe?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ Madinah mein 10 saal rahe.
[Sahih Bukhaari : 3851]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Kya hamaare Nabi ﷺ ke baad koi nabi aayega?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ke baad koi nabi nahin aayega.
[Abu Daawood : 4252]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Jin logon par nabi bheje jaate hain un logon ko kya kaha jaata hai?
*✾ Jawaab :* Jin logon par nabi bheje jaate hain un logon ko us nabi ki ummat kaha jaata hai.
[Alqamoos-ul-Muheet : Lafz Ummah] 
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Ham kis Nabi ki ummat hain?
*✾ Jawaab :* Ham Hazrat Muhammad ﷺ ki ummat hain.
       ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ka ta‘alluq Arab ke kis qabeele se hai?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ka ta'alluq Arab ke qabeele "Quraish" se hai.
[Timizi : 3606]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ke naana ka naam kya hai?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ke naana ka naam "Wahab Bin Abde Munaaf" hai.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/238]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ki naani ka naam kya hai?
*✾ Jawaab :* Hamaara Nabi ﷺ ki naani ka naam "Barrah" hai.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/238]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ke waalid ka inteqaal kab huwa?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ke waalid ka inteqaal hamaare Nabi ﷺ ki paidaaish se pehle huwa.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/294]
       ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Waalida ke inteqaal ke waqt hamaare Nabi ﷺ ki umr kitni thi?
*✾ Jawaab :* Waalida ke inteqaal ke waqt hamaare Nabi ﷺ ki umr chhe saal thi.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/305]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Waalida ke inteqaal ka baad hamaare Nabi ﷺ kis ke paas rahe?
*✾ Jawaab :* Waalida ke inteqaal ke baad hamaare Nabi ﷺ apne daada Abdul Muttalib ke paas rahe.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/306]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Daada ke inteqaal ke waqt hamaare Nabi ﷺ ki umr kitni thi?
*✾ Jawaab :* Daada ke inteqaal ke waqt hamaare Nabi ﷺ ki umr aathh saal thi.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/307]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Daada ke inteqaal ke baad hamaare Nabi ﷺ kis ke paas rahe?
*✾ Jawaab :* Daada ke inteqaal ke baad hamaare Nabi ﷺ apne chacha Abu Taalib ke paas rahe.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/318]
       ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ki daadi ka naam kya hai?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ki daadi ka naam Faatima hai.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 1/318]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ par pehli aayat kahaan naazil hui?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ par pehli aayat "Gaar-e-Hira" mein naazil hui.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 2/70]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ Gaar-e-Hira main kya karte the?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ Gaar -e-Hira mein Allah Ta'ala ki ibaadat karte the.
[Sahih Bukhaari : 3]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Dean ki khaatir ek jagah chhod kar doosri jagah chale jaane ko kya kehte hain?
*✾ Jawaab :* Deen ki khaatir ek jagah chhod kar doosri jagah chale jaane ko "Hijrat" kehte hain.
[Tafseer-e-Qurtubi : 10/107]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Musalmaan sab se pehle hijrat kar ke kahaan gaye?
*✾ Jawaab :* Musalmaan sab se pehle hijrat kar ke mulk-e-"Habshah" gaye.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 2/164]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Musalmaan doosri hijrat kar ke kahaan gaye?
*✾ Jawaab :* Musalmaan doosri hijrat kar ke "Madeenah Munavvarah" gaye.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 2/314]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ne kis maheene mein hijrat farmaayi?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ me Rabiul awwal ke maheene mein hijrat farmaayi.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 2/232]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Madeenah Munavvarah mein Islaam kab phaila?
*✾ Jawaab :* Madeenah Munavvarah mein Islaam hijrat se 2 saal pehle phaila.
[Seerat-e-Halabiyah: 2/499]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hijrat ke waqt hamaare Nabi ﷺ ke saath kaun the?
*✾ Jawaab :* Hijrat ke waqt hamaare Nabi ﷺ ke saath Hazrat Abu bakr RaziyAllahu Anhu the.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/11]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nab ﷺ Madeenah Munavvarah shaher mein kis din daakhil huwe?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ Madeenah Munavvarah shaher mein juma ke din daakhil huwe.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/22]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Madeenah Munawarah mein hamaare Nabi ﷺ kin ke mehmaan rahe?
*✾ Jawaab :* Madeenah Munawarah mein hamaare Nabi ﷺ Hazrat Abu Ayyub Ansaari RaziyAllahu Anhu ke mehmaan rahe.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/24]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah Munavvarah pahonch kar pehla kaam kya kiya?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah Munavvarah pahonch kar sab se pehle masjid banwaane ka kaam kiya.
[Asseeratun Nabaviyyat-ul-Ibn-e-Hishaam: 3/24]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Us masjid ko kya kehte hain?
*✾ Jawaab :* Us masjid ko "Masjid-e-Nabavi" kehte hain.
[Mirqaatul Mafaateeh: 2/417]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Madeenah Munavvarah hijrat karne waale sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu Anhuma ko kya kehte hain?
*✾ Jawaab :* Madeenah Munavvarah hijrat karne waale sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu Anhuma ko "Muhaajireen" kehte hain.
[Tafseer-e-Khaazin: 3/54]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Madeenah Munavvarah mein muhaajireen ki madad karne waale sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu Anhuma ko kya kehte hain?
*✾ Jawaab :* Madeenah Munavvarah mein muhaajireen ki madad karne waale sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu Anhuma ko "Ansaar" kehte hain.
[Tafseer-e-Khaazin: 3/54]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Hamaare Nabi ﷺ ne haj kab kiya?
*✾ Jawaab :* Hamaare Nabi ﷺ ne san 10 hijri main haj kiya.
[Albidaayah Wannihaayah: 5/109]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*✾ Sawaal :* Us haj ko kya kehte hain?
*✾ Jawaab :* Us haj ko "Hajjatul-Wada" kehte hain.
[Albidaayah Wannihaayah: 5/109]
        ┄─━━━━━━━━─┄
*《..Alhamdulillah Mukammal..》*
  Ref: Deeniyat Course book
    1seerat-un-nabi.blogspot.com
❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

Post a Comment

 
Top