1
⚜
           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

               *Bismillahirrahmanirrahim*

           ┄─━━━━□□□━━━━─┄

                       *Seerat-un-Nabi ﷺ*

            ♢━○━●━♢♢♢━○━●━♢

                             *[  Part - 01 ]*

             ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

*Seerat:* Hamaare pyaare Nabi Hazrat Muhammad ﷺ ki zindagi ke haalaat ko _"Seerat"_ kehte hain.
*Al Qur'aan:* Haqeeqat yeh hai ke tumhaare liye Rasoolullah ﷺ ki zaat mein ek behtareen namoona hai.
             [Sure-e-Ahzaab: 21]
*Hadees :* Rasoolullah ﷺ ne farmaaya : Tum mein se koi shakhs us waqt tak kaamil momin nahin ho sakta jab tak ke main us ke nazdeek us ke waalidain, bachchon aur tamaam logon se ziyaada mahboob na ho jaaoon.
                 [Bukhaari: 15]
Allah Ta'ala ne Nabi-e-Kareem ﷺ ko qayaamat tak aane waale insaanon ki hidaayat ke liye bheja hai, hamaare Nabi ﷺ ki seerat hamaare liye mukammal rahnuma hai, is se hamein maaloom hoga ke hamaara Deen kin kin maraahil se guzra, hamaare Nabi ﷺ ne is ki hifaazat, baqa aur logon tak pohnchaane ke liye kitni takleefein bardaasht keen aur Allah Ta'ala ne kis tarah madad farmaai.             
        ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
              
             *❖ Targeebi Baat ❖*
✺ Huzoor ﷺ ki zindagi Qayaamat tak aane waale insaanon ke liye ek amali aur misaali namoona hai, us mein insaan ki infiraadi wa ijtimaai zindagi ke tamaam goshon ki saaf saaf rehnumaai maujood hai, insaan ki zindagi ka koi gosha aisa baaqi nahin hai jis mein Aap ﷺ ne rehnumaai na farmaai ho.
✺ Rasoolullah ﷺ ki be'asat se pehle poori insaaniyat ijtimaai wa infiraadi taur pe pasti wa tanazzuli ka shikaar thi, rooe zameen par koi qaum aisi na thi, jo mizaaj ke etebaar se saaleh wa nek ho, aur na aisi koi society aur na muaashara tha, jo sharaafat-o-akhlaaq ke aalaa martabon ka haamil ho, na aisi koi hukoomat thi jis ki buniyaad adl-o-insaaf aur rahem-o-karam par mabni ho aur na koi aisa sahi Deen tha, jo insaanon ko seedha raasta bata sake.
✺ Huzoor ﷺ ki be'asat ke baad sirf 23 saal ke arse mein poori insaaniyat ko pasti wa gumraahi ke daldal se nikaal baahar kiya, Aap ﷺ ne insaaniyat ko nayi zindagi, nayi roshni aur nayi taaqat ata ki aur umda tehzeeb, nek muaashara aur adl-o-insaaf par mabni Deen-o-mazhab ata farmaaya aur huqooqullah aur huqooqul ibaad se logon ko aagaah kiya, namaz rozah, khaana peena, sona jaagna, shaadi biyaan, jeena marna, tijaarat wa kaarobaar wagaira ka umda tareeqa bataaya, algarz zindagi ke mod par Aap ﷺ ne insaanon ki mukammal rehnumaai farmaai.
           ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
                   
             *❖ Targeebi Baat ❖*
✺ Huzoor ﷺ ki paakeezah zindagi ke mutaabiq zindagi guzaarne se hi insaan haqeeqi maanon mein insaan banta hai aur isi se Allah Ta'ala aur us ke Rasool ﷺ ki sachchi mubabbat haasil hoti hai. Aur duniya wa aakhirat mein haqeeqi kaamyaabi naseeb hoti hai.
✺ Huzoor ﷺ ki paakeezah zindagi se rukh mod kar gairon ke taur tareeqa ikhtiyaar karna badi badbakhti aur mehroomi ki baat hai, duniya mein tabaahi wa barbaadi aur aakhirat mein naakaami ka sabab hai. Is liye zaroori hai ke ham Aap ﷺ ki seerat aur aap ﷺ ke buland akhlaaq wa aala sifaat se waaqif hon aur apni infiraadi wa ijtimaai zindagi mein hamesha us par amal karne ki koshish karein.
✺ Is unwaan ke tahat aasaan ansaaz mein Nabi-e-Kareem ﷺ ki Makki zindagi ke haalaat mukhtasaran diye gaye hain. Yeh asbaaq is tarah padhaaye jaayein ke Huzoor ﷺ ki zindagi ka mukammal naqsha zahen nasheen ho jaaye.
✺ Seerat ki tafseeli jaankaari ke liye bawaqte zaroorat moatabar musannifeen ki likhi hui kitaabon ki taraf ruju karein ke is mazmoon ke tahat jo seerat di gai hai woh un hi kitaabon se maakhooz-o-mustafaad hai.
          ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
                    *
      *❖ Hamare Nabi ﷺ se pehle ❖*
✺ Ab se koi chauda sau saal pehle ki baat hai, duniya ka bahot bura haal tha. Har taraf loot maar, chori, jhoot, dhoka, fareb, juva, sharaab, be sharmi aur be hayaai phaili thi. Poori duniya mein kufr aur shirk ka andhera chhaaya huwa tha. Allah ki marzi bataane waala koi Rasool na tha, Rasool sab ja chuke the, duniya waale gumraah ho gaye the, Allah ke baagi ban gaye the, Rasoolon ki ta'aleem bhula bhethhe the, Allah ka raasta chhod chuke the, apni man maani karte, ya apne jaise aadmiyon ka hukm maante, ya khaandaan aur biraadari ke rasm-o-riwaaj par chalte,
✺ Allah ki kitaabein bigaad di theen, un mein apni apni baatein mila rakhi theen, Log patthar ke but bana kar poojte, devi devtaaon ko poojte the, un ke naam par jaanwar zabah karte, mannat maante, chadhaawe chadhaate, ped, Pahaad, nadi, naale, jaandaar aur be jaan sab un ke ma'abood the. Garz jitne aadmi the utne hi raaste ho gaye the.
✺ Allah ka deen chhodne ka yahi nateeja hota hai. Jab duniya waale bahot ziyaada bigad gaye, bilkul hi gumrah ho gaye, to Allah ko un par raham aaya aur un ki hidaayat ke liye donon jahaan ke sardaar Hazrat Muhammed ﷺ ko bheja.
          ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
                   *
   *❖ Hamare Nabi ﷺ ki Paidaaish ❖*
✺ Pyaare Rasool ﷺ Rabeeul Awwal ke maheene mein mutaabiq 571 Iswi do shamba (Peer) ke roz paida huwe. Yeh taareekh-e-insaaniyat ka sab se mubarak din tha.
✺ Aap ﷺ shaher Makka mein paida huwe, Makka Arab desh ka ek mash'hoor shaher hai. Allah ka paak ghar Ka'aba isi shaher mein hai. Arab hamaare yahaan se door bahot door samandar paar ek mulk hai, yeh mulk hamaare yahaan se pachchhim (West) ki taraf hai.
        ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
                    
         *❖ Hamaare Nabi ﷺ ka*
               *Nasab Shareef ❖*
✺ Nabi-e-Kareem ﷺ ka nasab mutahhar tamaam duniya se ziyaada shareef aur paak hai aur yeh woh baat hai ke tamaam Kuffaar-e-Makkah aur Aap ﷺ ke dushman bhi is se inkaar na karsake. Abu Sufyaan (Raziyallahu Anhu) ne bahaalat-e-kufr Shaah-e-Room ke saamne is ka iqraar kiya haanlaake woh us waqt chaahte the ke agar koi gunjaaish mile to Aap par aib lagaaein.
✺ Aap ka nasab shareef waalid maajid ki taraf se yeh hai : Muhammed bin Abdullah bin Abdul Muttalib bin Haashim bin Abd-e-Munaaf bin Qusai bin Kilaab bin Murrah bin Ka'ab bin Luwai bin Gaalib bin Fahar bin Maalik bin Nazar bin Kanana bin Khuzaima bin Mudraka bin Ilyaas bin Muzir bin Nazaar bin Ma'ad bin Adnan.
✺ Yahan tak silsila-e-nasab ba ijmaaye ummat saabit hai aur yahaan se Hazrat Aadam (Alaihisalaam) tak ikhtelaaf hai. Is liye usko tark kiya jaata hai.
✺ Aur waalida maajida ki taraf Aap ka nasab yeh hai Muhammed bin Aamina binte Wahab bin Abd-e-Munaaf bin Zohra bin Kilaab. Is se maaloom huwa ke kilaab bin Murrah mein aap ke waalidaihn ka nasab jama ho jaata hai.
         ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
                    
*❖Hamaare Nabi ﷺ ka khaandaan❖*
✺ Arab mein paani bahot kam hai, Makkah waalon ke liye “Zam Zam ka kunwa” Allah Ta'ala ki bahot badi nemat hai, magar ek arse se woh mitti se bhar kar zameen ke baraabar ho gaya tha. Kisi ko yeh khabar na thi ke woh kahaan hai, Abdul Muttalib ne koshish kar ke pata lagaaya. Badi mehnat se use saaf karaaya. Makkah waalon ko paani ki aasaani ho gai, is ehsaan ki wajah se Makkah ke log un ki badi qadr karte the.
✺ Abdul Muttalib ke kai bete the. Un mein sab se chhote aur chaheete Abdullah the. Yahi Abdullah pyaare Rasool ﷺ ke abbu miyaan the. Abdullah ki shaadi Bibi Aamina se hui thi. Bibi Aamina Pyaare Rasool ﷺ ke ammi jaan theen.
✺ Abdullah pyare Rasool ﷺ ki paidaaish ke kuchh din pehle hi inteqaal farma chuke then. Daada miyaan Abdul Muttalib zinda the, unhon ne hamaare Nabi ﷺ ki paidaaish ki khabar suni, to bahot khush huwe, ghar aaye, pote ko god mein liya, pyaar kiya, Ka'aba mein le gaye, wahaan dua maangi, Muhammad naam rakha, saatwein din aqeeqa kiya, sab ki da'awat ki, logon ne poochha yeh naam kyun rakha, bole main chaahta hoon ke mere bete ki saari duniya ta'areef kare, Allah ne un ki aarzu poori ki. Darood ho pyare Rasool par, salaam ho pyaare Rasool par.
       ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
                    
*❖Hamaare Nabi ﷺ ka khaandaan❖*
✺ Us mulk mein bahot se qabeele the, Quraish ka qabeela un mein sab se ziyaada izzat waala qabeela tha. Usi qabeele ke log Ka'aba ki khidmat karte the, saara Arab Quraish ki izzat karta tha. Pyaare Rasool ﷺ usi qabeele se the.
✺ Aap ﷺ ke qabeele mein baaz bahot mash'hoor aadmi guzre hain, un mein ek Qusai the. Qusai apne qabeele ke sardaar the, Haj ke mauqe par saare haajiyon ko apna mehmaan banaate, teen din tak unhein muft khaana khilaate. Qusai ki aulaad mein Haashim bahot mash'hoor hain. Qabeele ke tamaam logon mein un ki badi izzat thi, Haashim bahot bahaadur aur sakhi the.
✺ Ek baar qahat pada, Haashim ne apne paison se bahot ziyaada galla khareeda aur logon mein muft taqseem karaaya. Haashim ke kai bete the, un mein sab se mash'hoor Abdul Muttalib the, yeh bhi apne qabeele ke sardaar the.
          ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
                   
     *❖Hamaare Nabi ﷺ ka bachpan❖*
✺ Makkah ka riwaaj tha ke log bachchon ko dehaat bhej dete. Waheen un ki parwarish hoti. Aap ﷺ ki ammi jaan ne bhi Aap ﷺ ko dehaat bhej diya. Hazrat Haleema Raziy allahu Anha ne Aap ki parwarish ki. Hazrat Haleema Raziyallahu Anha ke qabeele ka naam “Bani Sa'ad” tha is liye un ko Haleema Sa'adiya kehte hain. Woh bahot nek Bibi theen . Aap ﷺ ne un ka doodh piya.
✺ Khuli hawa mein pale badhe, khoob tandrust huwe. Saaf suthri boli seekhi, do saal baad Makkah aaye, ammi jaan ne dekha, bahot khush huween, Makkah mein beemaari phaili thi, ammi jaan ne Hazrat Haleema Raziyallahu Anha ke saath Aap ﷺ ko phir bhej diya.
✺ Jo Aap ﷺ ki bholi soorat dekhta Aap ﷺ ko pyaar karta, Aap ﷺ ki meethhi baatein sunta, khush hota. Aap ﷺ Bibi Haleema Raziyallahu Anha ke bachchon se muhabbat karte the, woh bhi Aap ﷺ se muhabbat karte, apne saath khel mein shareek karte, bakriyaan charaane jaate to Aap ﷺ ko apne saath le jaate.
《..
        ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖
                  
*❖Hamaare Nabi ﷺ ka bachpan❖*
✺ Chaar saal ke huwe to ammi jaan ke paas waapas aagaye. Ammi Aap ﷺ ko dekh kar bahot khush huween, muhabbat se paalne lageen. Chhe saal ke huwe to Aap ﷺ ko le kar maike gayeen, raaste mein beemaar ho kar chal baseen. Maan baap donon ka saaya sar se uthh gaya.
✺ Umme Aiman Aap ﷺ ko daada miyaan ke paas laayeein, daada miyaan ko bahot dukh huwa. Kya karte marna jeena Allah ke ikhtiyaar mein hai, aai hui ghadi ko kaun taal sakta hai.
✺ Bade ho kar pyaare Rasool ﷺ ek baar maqaam-e-“Abwa” se guzre, ammi jaan ki qabr dekh kar Aap ﷺ ka dil bhar aaya. Aap ﷺ ki aankhon mein aansu dekh kar sahaaba bhi rone lage.
《..
     
            ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
  *❖Hamaare Nabi ﷺ ki parwarish❖*
✺ Daada miyaan Aap ﷺ ko bahot pyaar karte, daada miyaan ne Aap ﷺ ki parwarish ki. Bahot muhabbat se paala, aathh saal ke huwe to daada miyaan bhi chal base. Marte waqt daada miyaan ne Aap ﷺ ko Abu Taalib ke hawaale kiya.
✺ Abu Taalib Aap ﷺ ke chacha jaan the, Aap ﷺ ke kai chacha the, Abu Taalib un sab mein achchhe the, Aap ﷺ se muhabbat karte, hamesha saath liye phirte, pyaar karte, kisi tarah ki takleef na hone dete, safar mein bhi Aap ﷺ ko saath rakhte.
《.*
          ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
    *❖ Hamaare Nabi ﷺ ki jawaani ❖*
✺ Pyaare Rasool ﷺ chacha jaan ke saaye mein pale badhe, rafta rafta jawaan huwe , jawaani mein Aap ﷺ sab se achchhe the.
✺ Arab ke jawaan aapas mein ladte bhidte, Aap ﷺ ladaai se hamesha door rehte. Aksar log sharaab peete, juva khelte, bure bure kaam karte, Aap ﷺ un cheezon ko bura samajhte, gareebon ko khaana khilaate, mazdooron ki madad karte, kamzoron ka saath dete.
《..
         ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
   *❖ Hamaare Nabi ﷺ ki Tijaarat ❖*
✺ Chacha jaan tijaarat karte the, Aap ﷺ bhi tijaarat karne lage, tijaarat ko Aap bahot Achchha samajhte the. Aap ﷺ bahot achchhe taajir the.
✺ Hamesha sach bolte, jhoot ke paas na jaate, sab Aap ﷺ ko “Saadiq” kehte. Aap ﷺ muaamla saaf rakhte, bahot amaanatdaar the, sab Aap ﷺ ko "Ameen" kehte, sab Aap ﷺ ki izzat karte, sab Aap ﷺ par bharosa karte, ghar ghar Aap ﷺ ki amaanatdaari aur sachchaai ka charcha tha.
《..
           ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
         *❖ Shaam (Syria) ka Safar ❖*
✺ Makkah mein ek maaldaar khaatoon theen, un ka naam “Khadeeja” tha. Bibi Khadeeja Raziyallahu anha bewa theen, un ke shohar marchuke the. Un ka bada kaarobaar tha, tijaarat ke liye logon ko rupya deteen aur unhein nafe mein shareek kar leteen.
✺ Pyaare Rasool ﷺ ki amaanat-daari aur sachchaai ka charcha suna, to Bibi Khadeeja ne khwaahish ki ke Aap un ka maal-e-tijaarat le kar safar par jaayein. Aap ﷺ ne manzoor farma liya aur Bibi Khadeeja ke gulaam Maisara ko le kar Shaam (Syria) ke safar par rawaana huwe. Aap ne badi mehnat, aqalmandi aur sachchaai se kaam kiya.
《..
          ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥
     *❖ Hamaare Nabi ﷺ ka Nikaah ❖*
✺ Hamaare Nabi ﷺ bahot sa nafa kama kar Shaam ke safar se laute, paayi paayi ka hisaab diya. Bibi Khadeeja Raziyallahu anha nek theen, Aap ﷺ  ki achchhaaiyaan dekh kar bahot khush hueen, phir Maisara gulaam ne bhi Aap ﷺ ki Imaandaari, neki, logon ke saath hamdardi aur muhabbat ka aankhon dekha haal bayaan kiya.
✺ Bibi khadeeja Raziyallahu Anha bahot mutassir huween, khud nikaah ka paigaam diya, Aap ﷺ tayyaar ho gaye. Chacha jaan aur Quraish ke kuchh aur logon ko saath le kar Bibi Khadeeja Raziyallahu Anha ke makaan par pahonche aur nikaah ho gaye. Us waqt Aap ﷺ pachchees saal ke the, Bibi Khadeeja Raziyallahu Anha ki umr chaalees saal thi.


              ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

*❖ Amn ki koshish aur Hajr-e-Aswad ka faisla*

✺ Ek dafa ka zikr hai ka'aba ki marammat ho rahi thi, puraani deewaarein tod kar banaai ja rahi theen, ek deewaar mein Hajr-e-Aswad  laga huwa tha, yeh ek kaala patthar tha, yeh patthar Hazrat Ibrahim عليه السلام  ki yaadgaar tha, sab us ko mutabarrak samajhte the. Jab deewaar mein us patthar ko chunne ka waqt aaya, to aapas mein jhagda hone laga. Har shakhs yeh chaahta tha ke yeh mutabarrak patthar main lagaaoon. Qareeb tha ke khoon kharaaba ho jaaye, aakhir taye huwa ke jo shakhs kal subah sab se pehle ka'aba mein aaye, usi ka faisla maan liya jaaye.

✺ Allah ka karna aisa huwa ke doosre din sabse pehle Pyaare Rasool ﷺ hi Ka'ba mein tashreef laaye. Sab ko Aap ﷺ par bharosa tha, sab ne Aap ﷺ ko faisal maan liya. Aap ﷺ ne bada achchha faisla kiya. Ek chaadar li, us mein Hajr-e-Aswad ko rakha, har qabeele ke sardaar ko ek ek kinaara pakadne ko kaha, sab ne mil jul kar uthhaaya , jab patthar wahaan tak le aaye jahaan use rakhna tha. Aap ﷺ ne use uthha kar deewaar mein laga diya. Is tarah har qabeele ko is kaam mein shareek hone ka mauqa mil gaya.

《.
          ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

       *❖ Aap Nabi hote hain ❖*

✺ Makkah ke qareeb ek pahaadi thi. Us pahaadi ka naam Hira tha. Pahaadi mein ek gaar tha. Aap ﷺ Gaar-e-Hira mein jaate, sattu paani saath le jaate, kayi kayi din tak wahaan tanha rehte, Allah Ta'ala ki ibaadat karte, logon ki bhalaai ki tadbeerein sochte, buraaiyon ko mitaane aur nekiyon ko phailaane ke raaste dhoondte. Jab sattu paani khatm ho jaata, to phir ghar aate sattu paani lete aur laut jaate.

✺ Umr ke chaaleeswein saal jab ke Aap Gaar-e-Hira mein tashreef farma the, Allah ke qaasid Hazrat Jibraeel عليه السلام Allah ka kalaam le kar aaye, jis ko "Wahi" kehte hain. Hazrat Jibraeel عليه السلام ne Aap ko bashaarat di ke Aap Allah ke Rasool hain phir kaha padhye. Arab mein us waqt padhne padhaane ka riwaaj kam tha is liye Huzoor ﷺ bhi likhna padhna nahin jaante the, Aap ne farmaaya : Main padha huwa nahin hoon.

《        ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

       *❖ Aap Nabi hote hain ❖*

✺ Hazrat Jibraeel عليه السلام ne Aap ko seene se laga kar bahot zor se dabaaya aur kaha : Padhye, Aap ne farmaaya : Bhai mujhe padhna nahin aata, Hazrat Jibraeel عليه السلام ne teen martaba dabaaya aur chhoda aur har baar yahi kehte the ke padhye aur Huzoor ﷺ baraabar yahi farmaate rahe ke main padhna nahin jaanta.

✺ Aakhir Hazrat Jibraeel عليه السلام ne kaha padhye.

                 اِقْرَأْ بِاسْمِ رَبِّكَ الَّذِي خَلَقَ

Is wahi ka naazil hona tha ke Huzoor ﷺ par risaalat ka bojh pad gaya aur Aap khauf wa haibat se kaanp uthhe aur hai bhi yeh baat ke sainkdon baras ke gumraahon ko raah par lagaana aur sainkdon buton ke pujaariyon ko Allah ka khaalis banda banaana, aasaan kaam nahin hai.

✺ Aap ghabraaye huwe ghar tashreef laaye aur apni sachchi hamdard beewi se tamaam waaqia bayaan kiya. Bibi khadeeja RaziyAllahu anha ne dhaaras bandhaai, boleen : "Aap ghabraate kyun hain Allah aap ko zaaye na hone dega. Aap neki karte hain, sadqa dete hain, gareebon ki madad karte hain, yeteemon bewaaon ko sahaara dete hain, mehmaanon ki khaatir karte hain, logon ka bojh uthhaate hain, dukhyon ko sahaara dete hain, Aap ko kis cheez ka dar hai ?


          ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

          *❖ Allah ka Paigaam ❖*

✺ Jab Hazrat Jibraeel عليه السلام Allah ka paigaam le kar aaye, to Aap ﷺ ne pohanchaana shuru kiya. Aap ﷺ logon se kehte : "Allah ek hai, wahi sab ka khaaliq hai, Raaziq aur Haakim hai, usi ka hukm maano, usi ki ibaadat karo. Main Allah ka Rasool hoon, meri pairwi karo, buraaiyon se bacho, bhale kaam karo, Allah tum se khush hoga, rehne ko Jannat dega, bure aadmiyon se Allah naaraaz hoga, bahot hi sakht saza dega."



            ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

   *❖ Pehle Imaan laane waale ❖*

✺ Nek log Aap ki baat maan gaye. Hazrat Abu Bakr Siddiq RaziyAllahu Anhu Aap ﷺ ke gehre dost the, mardon mein sab se pehle woh Imaan laaye. Hazrat khadeeja RaziyAllahu Anha Aap ki nek bibi theen, aurton mein sab se pehle woh Imaan laayeen.

✺ Hazrat Ali RaziyAllahu anhu Aap ke chacha zaad bhaai the, ladkon mein sab se pehle woh Imaan laaye. Hazrat Zaid RaziyAllahu Anhu Aap ke gulaam the, gulaamon mein sab se pehle woh Imaan laaye. Yeh chaaron bahot nek the, Aap ﷺ ke saath rehte the, Aap ﷺ ki achchhaaiyon se waaqif the, sunte hi sach jaana, fauran Imaan le aaye, Allah ta'ala un sab se raazi ho.


           ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

         *❖ Pahaadi ka wa'az ❖*

✺ Kuchh din baad Allah ka hukm aaya "Aye paigambar! Tum apne qareebi rishtedaaron ko Allah ke azaab se daraao." Aap ﷺ ne aisa hi kiya.

✺ Makkah ke qareeb ek pahaadi hai us ka naam "Safa" hai. Aap ﷺ us pahaadi par chadhh gaye aur Makkah waalon ko aawaaz di, jab sab log jama ho gaye to Aap ﷺ ne farmaaya : "Main pahaadi ke oopar hoon tum pahaadi ke neeche, main idhar bhi dekh raha hoon udhar bhi, (magar tumhaari nazar sirf ek taraf hai) agar main kahoon ke is pahaadi ke peechhe daakuon ki ek fauj hai jo tum par hamla karne waali hai to kya tum yaqeen karoge?"

✺ Sab ne ek zabaan ho kar kaha, beshak Aap ooper hain har taraf dekh rahe hain, Aap Saadiq hain, Ameen hain, Aap kabhi jhoot nahin bolte, ham Aap ki baat par zaroor yaqeen kareinge.


             ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

         *❖ Pahaadi ka wa'az ❖*

✺ Phir Aap ﷺ ne farmaaya : "Logo ! Yeh to samjhaane ke liye ek misaal thi. Yaqeen karo, maut tumhaare sar par khadi hai. Tumhein ek din marna hai, mar kar Allah ke paas jaana hai, apne kiye ka badla paana hai, agar tum Imaan la kar nek na ban gaye, to tum par sakht azaab naazil hoga, tum sirf duniya ko dekh rahe ho aur main aakhirat ko bhi dekh raha hoon."

 ✺ Makkah waalon ne Aap ﷺ ka wa'az suna, kitni sachchi baatein theen, pyaare Rasool ﷺ ne kitne achchhe dhang se samjhaaya tha, sab Aap ﷺ ko sachcha jaante the magar is sachchi baat par yaqeen na kiya, Aap ﷺ ko bura bhala kehne lage, bura bhala kehne waalon mein Aap ka chacha Abu Lahab sab se aage aage tha, bola : Kya tum ne hamein isi liye bulaaya tha ?



           ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

  *❖ Allah ka Deen phailta raha ❖*

✺ Allah ka Deen aahista aahista phailta raha, kaafir pareshaan the, kya karein, kaise haq ki raah rokein, Muhammad ﷺ akele hain, thode se saathi hain, be yaar-o-madadgaar hain, phir bhi log un ki taraf khinch rahe hain, baap daada ka deen mit raha hai.

✺ Sab mil kar Abu Taalib ke paas gaye, bole : Abu Taalib ! Saare khaandaan ki izzat khaak mein mil rahi hai, bhateeje ko rokiye, hamaare, aap ke ma'aboodon ko jhutla rahe hain, un ka kehna hai ke ibaadat ke laaiq sirf ek Allah hai, ham sab naadaan hain ke laat wa manaat ki pooja kar rahe hain, ab paani sar se ooncha ho raha hai. Abu Taalib ne kisi tarah un se peechha chhudaaya. Pyaare Rasool ﷺ apna kaam karte rahe Deen phailta raha.

✺ Kaafir phir Abu Taalib ke paas aaye, daraaya dhamkaaya, jaan ka khauf dilaaya ! Abu Taalib soch mein pad gaye, bhateeje ko bulaaya kaha : Bete ! Mujh par itna bojh na daalo..... Pyaare Rasool ﷺ zara na ghabraaye, bole: Chacha jaan ! Yeh kaam to Allah ka hai, woh meri madad karega, agar yeh log mere ek haath mein sooraj aur doosre haath mein chaand la kar rakh dein tab bhi main is kaam se baaz na aaunga. Yeh keh kar aansu jaari ho gaye. Abu Taalib bhi mutaassir huwe bole : Jaao beta itminaan se apna kaam karte raho, main tumhein zaalimon ke haath mein na doonga.


             ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

          *❖ Habshah ki hijrat ❖*

✺ kaafir baraabar musalmaanon ko sataate rahe, tarah tarah dukh dete rahe, pyaare Rasool ﷺ ko sataaya, pyaare Rasool ﷺ ke pyaare saathiyon ko sataaya. Jab paani sar se ooncha ho gaya, Qur'aan padhna, Allah ki ibaadat karna, Deen par chalna, doosron ko Deen ki baatein bataana, sab do bhar ho gaya to Aap ﷺ ne musalmaanon se farmaaya : "Pyaare saathiyo ! Tum ne Deen ke liye bahot dukh sahe, ab jo chaahe Mulk-e-Habsh chala jaaye. Habsh ka baadshaah Najjaashi hai, Najjaashi bahot nek hai, wahaan koi rok nahin hai, aazaadi se Deen par amal kar sakoge, Deen phailaane ka bhi mauqa milega."

✺ Chunaanche bahot se musalmaan ghar baar chhod kar Habshah chale gaye. Kaafiron ke zulm se tang aakar watan chhod diya, Deen ki khaatir doosre mulk mein ja base, isi ko "Hijrat" kehte hain.

✺ Magar kaafiron ne ab bhi chain na lene diya, peechha karte Habshah pahonche, Najjaashi se shikaayat ki, musalmaan darbaar mein bulaaye gaye. Hazrat Ali RaziyAllahu anhu ke bhaai Hazrat Ja'afar RaziyAllahu Anhu the. Hazrat Ja'afar RaziyAllahu Anhu musalmaanon ke sardaar the, unhon ne Najjaashi ke darbaar mein ek taqreer ki, taqreer bahot achchhi thi.


❥❥
*❖ Hazrat Ja‘afar RaziyAllahu Anhu ki taqreer*
✺ Hazrat Ja’afar RaziyAllahu Anhu ne farmaaya : Aye baadshaah ! Ham naadaan the, jaahil the, but poojte, murdaar khaate, badkaari karte. aapas mein ladte, ameer gareeb par zulm karte, na mehmaanon ki izzat hoti, na padosiyon ke saath achchha bartaao hota, bhaai bhaai se Iadta. taaqatwar kamzor ko sataata.
✺ Allah ko ham par raham aaya, ham mein ek Rasool bheja, ham sab us se waaqif the, woh bahot hi nek tha, us he seedhi raah dikhaai, aapas mein muhabbat karna sikhaaya. Us ne hamein samjhaaya ke ham but poojna chhod dein, Allah ki lbaadat karein, sach bolein, wa’ada poora karein, buraaiyon se bachein, gunaahon se door rahein, yateemon ka maal na khaayein, zulm se baaz aa jaayein, aapas mein mil jul kar rahein. Ham ne use Nabi jaana, Allah ka Rasool maana, us ki baaton par amal kiya, hamaari qaum hamaari dushman ban gai, hamein sataane lagi. ls liye ham apna watan chhod kar yahaan chale aaye.

❥❥
*❖ Hazrat Ja‘afar RaziyAllahu Anhu ki taqreer*
✺ Najjaashi ne Hazrat Ja’afar RaziyAllahu Anhu ki taqreer suni. Taqreer bahot achchhi thi, bade gaur se suna, un ki baaton ka asar Iiya, un se Qur’aan Shareef suna. Qur’aan Shareef sun kar rone lage, kaafiron ko nikalwa diya. Musalmaanon ke saath achchha bartaao kiya. Kuchh din baad khud bhi musalmaan ho gaye. Allah ki rahmat ho un par.
✺ Pyaare Rasool ﷺ ne hijrat nahin ki, Aap ﷺ Habshah nahin gaye, Makkah mein jame rahe, dukh sehte rahe, Allah ki taraf bulaate rahe.
✺ Aap ﷺ melon mein jaate, mandiyon mein jaate, Haj ke mauqe par jagah jagah se aaye huwe logon ko Deen ki baatein bataate. ls tarah rafta rafta Makkah ke baahar Deen phailta raha.

❥❥
*❖ Musalmaanon ka boycott ❖*
✺ Makkah Mukarramah mein lslaam dheere dheere phailne laga, Rozaana koi na koi lslaam qubool kar leta. Dushmanon ko bahot fikr hui, unhon ne hamaare Nabi ﷺ aur musalmaanon ka boycott kiya aur Shi’ab-e-Abi Taalib mein qaid kar diya.
✺ Musalmaanon ko sakht takleefon ka saamna karna pada. ls ghaati mein khaane peene ke liye kuchh bhi nahin tha. Musalmaan, boodhe, bachche, aurtein sab bhook pyaas ki shiddat bardaasht karte the. Musalmaan teen saal tak isi haalat mein ghaati mein qaid rahe.

❥❥
*❖ Gam ka Saal ❖*
✺ Ghaati se najaat paane ke kuchh hi arse baad nubuwat ke daswein saal Aap ﷺ ke meharbaan chacha Abu Taalib ka inteqaal ho gaya. Abhi chacha ka gam taaza hi tha ke wafaadaar aur jaan nisaar beewi Hazrat Khadeeja RaziyAllahu anha ki bhi wafaat ho gai.
✺ In donon waaqiaat se hamaare Nabi ﷺ ko sakht sadma pohancha. Hamaare Nabi ﷺ ne is saal ko “Gam ka saal” qaraar diya, ab Quraish ko khullam khulla sataane ka mauqa mil gaya. Pehle to Abu Taalib ke lihaaz aur Hazrat Khadeeja RaziyAllahu anha ki khaatir kuchh dabe rehte the, Iekin ab maidaan saaf tha. Mushrikeen-e-Makkah ne hamaare Nabi ﷺ k0 bahot sataana aur takleefein pohnchaana shuru kar diya.

❥❥
*❖ Taaif ka safar ❖*
✺ Makkah se taqreeban pachaas meel door ek basti hai, us ka naam Taaif hai. Makkah mein Deen ka kaam karte karte bahot din ho gaye the, Makkah ka ek ek aadmi Aap ﷺ ka dushman tha. Koi Aap ﷺ ki baat par dhyaan na deta. Aap ﷺ ne socha ke ab Taaif ja kar kyun na Allah ka pyaam sunaaun. Ho sakta hai ke wahaan kuchh log sunein aur kuchh saathi mil jaayein aur mil kar Allah ke Deen ka kaam karein. Yeh soch kar Aap ﷺ Taaif gaye.
✺ Taaif ke log bahot bure the, unhon ne Aap ki baatein nahin suneen, Aap ﷺ ke saath bahot bura sulook kiya, pattharon se maara, gaaliyaan deein, sataane ke liye naadaan aur shareer bachche peechhe Iaga diye. Aap Iahooluhaan ho gaye, magar bad dua na ki, baraabar dua hi karte rahe ke Aye Allah ! Yeh naawaaqif hain un ko hidaayat de. Durood ho pyaare Rasool par, salaam ho pyaare Rasool par.

❥❥
*❖ Me‘araaj ❖*
✺ Hamaare Nabi ﷺ Taaif se waapas Makkah tashreef laaye aur Makkah mein phir tableeg karne lage. Musalsal takleefon ke baad Allah ki taraf se Aap par ek in’aam huwa aur Me’araaj ka azeemushshaan waaqia pesh aaya.
✺ Nubuwwat ko das saal guzar chuke the. Ek raat hamaare Nabi ﷺ apni chachazaad behan Umme Haani ke ghar aaraam farma rahe the ke Hazrat Jibraeel عليه السلام aaye aur Aap ko me’araaj ki khushkhabri sunaai. Phir ek tez raftaar sawaari pesh ki, jis ka naam “Burraaq” tha. Jis par sawaar ho kar Aap ﷺ Makkah se Baitul Muqaddas aaye aur wahaan se saaton aasmaanon ka safar kiya, Jannat wa Jahannam ko dekha aur phir Allah Ta’ala ke darbaar mein haazir huwe, wahaan Aap ﷺ ko paanch namaazon ka tohfa mila phir Aap ﷺ usi sawaari se waapas Makkah tashreef laaye.

❥❥
*❖ Madeenah Munuwwarah ki Hijrat*
✺ Madeenah Munawwarah Arab ka ek mash‘hoor shaher hai, yeh Makkah Mukarramah se taqreeban 455 kilo meter ke faasle par hai, Madeene mein rehne waale kuchh log but parast aur kuchh yahoodi the, but paraston ke do bade khaandaan Aus wa Khazraj the, Madeenah ke log har saal Haj ke liye Makkah jaate, pyaare Rasool ﷺ un se milte aur chupke chupke Deen ki baatein bataate, Madeenah ke log nek the, woh pyaare Rasool ﷺ ki baatein dhyaan se sunte, un mein se bahot se musalmaan ho gaye. ls tarah Allah ka Deen Madeenah pahoncha.
✺ Makkah mein Deen ki baatein pohanchaate pohanchaate Aap ﷺ ko terah saal ho gaye the. Makkah waalon ne Aap ﷺ ko sataaya, jab un mein Huzoor ﷺ ki baatein sunne waala koi na raha. Ulte jaan ke darpe ho gaye. To Allah Ta’ala ne Aap ko hukm diya ke ab Madeenah ko hijrat kar jaayein. Bahot se musalmaan Madeenah ko hijrat kar chuke the.

❥❥

*❖ Madeenah Munuwwarah ki Hijrat*
✺ Ek raat kaafiron ne taye kiya. Tauba tauba ! Pyaare Rasool ﷺ ko jaan se maar diya jaaye, is “Noor” ko hamesha ke liye bujha diya jaaye. Bad-bakhton ne yeh tarkeeb sochi ke har qabeele ka ek ek aadmi jama ho aur pyaare Rasool ﷺ ka ghar gher lein aur jab Aap ﷺ ghar se niklein to sab ek saath Aap ﷺ par hamla kar dein. Aap ﷺ ko jaan se maar dein, Allah Ta’ala ne Aap ﷺ ko is saazish ki khabar de di.
✺ Aap ne apne bistar par Hazrat Ali RaziyAllahu anhu ko sula diya taake woh Aap ﷺ ke paas rakhi hui amaanatein logon ko pohancha dein aur Aap ﷺ Qur’aan Shareef ki aayatein padhte huwe ghar se nikle. Mutthhi mein kuchh kankariyaan bhar kar un ki taraf phenkeein, Allah Ta’ala ne un ki aankhon par parda daal diya aur pyaare Rasool ﷺ ko koi bhi na dekh saka.
《..
❥❥
*❖ Madeenah Munuwwarah ki Hijrat*
✺ Aap ﷺ ke sachche dost Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu anhu bhi Aap ﷺ ke saath ho liye aur donon mil kar Madeenah ki taraf rawaana huwe. Raaste mein ek gaar hai “Gaar-e-Saur“ us mein donon chhup gaye. Kaafiron ne peechha kiya. Door door jaasoos bheje. Ek kaafir to gaar ke munh par pohancha, Hazrat Abu Bakr RaziyAllahu anhu fikr mand huwe, pyaare Rasool ﷺ ne kaha : “Daro nahin, Allah hamaare saath hai.” Allah ne us kaafir ki mat maar di aur woh Aap ﷺ ko na dekh saka.
✺ Teen din ke baad Aap ﷺ Madeenah Munavvarah ko rawaana huwe. Madeenah ke log kai din se baraabar Aap ﷺ ka intezaar kar rahe the, pahonche to log bahot khush huwe, bachchiyaan geet gaane lageen aur har ek yeh chaahta tha ke Huzoor ﷺ hamaare ghar thhehrein. Huzoor ﷺ ne farmaaya: Main waheen thhehroonga jahaan oontni ja kar baithh jaayegi, yeh sharf Hazrat Abu Ayyub Ansari RaziyAllahu anhu ko mila.

❥❥
*❖ Hamaare Nabi ﷺ Madeenah mein*
✺ Jab se Madeenah waalon ne suna ke hamaare Nabi ﷺ aane waale hain, usi waqt se woh rozaana Madeenah se baahar nikal kar Aap ﷺ ki raah dekhte, woh bahot khush the, bachche khushi mein gali gali phir rahe the ke hamaare pyaare Nabi aarahe hain, hamaare Nabi aarahe hain, hamaare Nabi aa rahe hain (ﷺ).
✺ Bachchiyaan apne gharon ki chhat par baithh kar Aap ﷺ ke aane ki khushi mein taraane gaati theein, jab Aap ﷺ aaye to logon ne raaste ke donon kinaaron par khade ho kar Aap ﷺ ka istiqbaal kiya, har ek ki khwaahish thi ke Huzoor ﷺ mere ghar mein qayaam karein. Hamaare Nabi ﷺ ki ootni Hazrat Abu Ayyub Ansari Raziy Allahu anhu ke ghar ke saamne thhaher gayi aur Aap ne waheein qayaam farmaaya.

❥❥
*❖ Muhaajireen wa Ansaar ka aapas mein bhaai chaara*
✺ Makkah se jo musalmaan Madeenah pahonche the, yeh “Muhaajir” kehlaaye, Muhaajir sab be sar-o-saamaan the, Madeenah ke musalmaanon ne har tarah un ki madad ki, is liye yeh log “Ansaar” kehlaaye.
✺ Pyaare Rasool ﷺ ne Muhaajireen wa Ansaar mein “Mawaakhaat” qaaim ki, yaani Ansaar aur Muhaajireen ko ek doosre ka bhaai banaaya. Phir to Ansaar ne un ko rehne ke liye ghar diye, shaadi aur biyaah karaaya, kaarobaar mein shareek kiya aur har baat mein unko apne se ziyaada samajhne lage, Allah Ta’ala ne bhi un ki ta’areef farmaai hai.

❥❥
*❖ Madeenah Munawwarah ke haalaat*
✺ Hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah pahonch kar sab se pehle Allah ki ibaadat aur namaaz ke liye masjid banaai, use “Masjid-e-Nabawi” kehte hain.
✺ Hamaare Nabi ﷺ ke Madeenah pahonchne se pehle qabeeIa-e-Aus aur Khazraj hamesha ladte rehte the, roz roz ki ladaai se woh bhi thak chuke the, is ladaai ko khatm karne ke Iiye woh chaahte the ke kisi ko apna baadshaah bana Iein, is ke liye unhon ne ek “Munaafiq” Abdullah Bin Ubai ka naam taye kiya, lekin hamaare Nabi ﷺ ke Madeenah aane ke baad woh baadshaah na ban saka, hamaare Nabi ﷺ ne Madeenah ke haalaat dekh kar yahoodiyon ke saath sulah kar Ii, yahoodiyon ne zaahir mein sulah to kar Ii lekin andar andar jalte rahe, khaas kar Abdullah Bin Ubai bahot jalta tha.


*❖ Musalmaanon ke teen dushman*

✺ Makkah Mukarramah mein musalmaanon ke dushman sirf kuffaar the, Madeenah Munawwarah mein teen dushman ho gaye; kuffaar, yahood aur munaafiqeen.

✺ Madeenah ke yahoodi bahot maaldaar the, mulk ka saara kaarobaar unheein ke haathon mein tha, Arbon se mazdoori aur kheti baadi ka kaam lete the, sood par raqmein diya karte the aur woh mulk-e-arab ki bhalaai ke mukhaalif the.

✺ Munaaflq woh log the jo zaahir mein kalima padh kar musalmaan ho gaye the; lekin androoni taur par woh musalmaanon ke sakht mukhaalif aur bade dushman the.

✺ Abdullah Bin Ubai un munaafiqon ka sardaar tha, munaafiq hamaare Nabi ﷺ ko baar baar dhoka dete the, Islaam aur musalmaanon ke khilaaf saazishein karte the.


❥❥

*❖ Badr aur Uhud ki ladaaiyaan ❖*

✺ Madeenah mein musalmaanon ko hijrat ke doosre saal hi ek badi jang karni padi, yeh lslaam ki sab se pehli jang thi, us ko “Gazwa-e-Badr” kehte hain, jis mein musalmaan sirf 313 the, jab ke kuffaar-e-makkah ki ta’adaad 1000 ke qareeb thi aur un ke paas har qism ke saaz-o-saamaan aur jangi hathyaar the.

✺ Lekin Allah ki madad se musalmaan jeet gaye aur kaafir haar gaye, is ladaai mein Abu Jahal aur Utba jaise bade bade sardaar maare gaye, Badr ke ek saal baad Uhud ki ladaai pesh aayi.

✺ Uhud ki ladaai bahot hi sakht thi, is ladaai mein musalmaan pehle jeet gaye, kaafiron ki haar hui, khushi mein musalmaan apne pehre se hat gaye, is se musalmaanon ka bada nuqsaan huwa, hamaare Nabi ﷺ ke do daant bhi shaheed ho gaye, magar musalmaanon ne jama ho kar dobaara hamla kiya, aakhir Allah kl madad aayi kaafir bhaagne lage, musalmaanon ne unka peechha kiya aur Allah ne musalmaanon ko fatah di. ls ladaai mein 70 sahaaba-e-kiraam RaziyAllahu anhuma shaheed ho gaye.

*
❥❥

*❖ Khandaq ❖*

✺ Hijrat ke paanchwein saal ek aur badi Iadaai hui, usko “Gazwa-e-Khandaq” kehte hain. Kuchh yahoodiyon ne Makkah ja kar kaafiron ko musalmaanon ke khilaaf bhadkaaya, isi tarah Arab ke doosre qabeelon ko bhi Iadaai par ubhaara, sab ne mil kar 10000 faujon ka ek bhaari Iashkar tayyaar kar liya aur us ka ameer Abu Sufyaan ko muqarrar kiya.


✺ Jab hamaare Nabi ﷺ ko is ki khabar hui, to Aap ﷺ ne Hazrat Salman Farsi RaziyAllah Anhu ke mashware se Madeenah ke ird gird khandaq khudwaai, hamaare Nabi ﷺ bhi khudaai mein sahaaba RaziyAllah Anhuma ke saath baraabar shareek rahe, kaafiron ka Iashkar jab Madeenah pahoncha, to khandaq dekh kar unko bada ta‘ajjub huwa ; kyunke yeh aisi tadbeer thi jis se Arab ke log waaqif nahin the, khandaq itni gehri aur chaudi thi ke dushman use paar na kar sake aur kuffaar ek maheene tak Madeenah ko ghere rahe, ek din bahot tez hawa chali jis se kaafiron ke khaime ukhad gaye aur kaafir bhaag khade huwe.


❥❥

*❖ Sulah-e-Hudaibiya ❖*

✺ Hamaare Nabi ﷺ aur muhaajireen ko madeenah aaye huwe 6 saal ho gaye the, un ko Makkah bahot yaad aata tha, un ki badi khwaahish thi ke Makkah Muazzama ja kar Khaana-e-Ka’aba ka tawaaf karein, lihaaza hamaare Nabi ﷺ ne apne 1400 saathiyon ke saath Umrah ka iraada farmaaya aur Madeenah se safar kar ke Makkah ke qareeb “Hudaibiya” naami kunwein ke paas qayaam kiya, kuffaar ne yeh khabar sun kar jang ki tayyaari shuru kar di,

✺ Hamaare Nabi ﷺ ne Hazrat Usman RaziyAllahu Anhu ke zariye Makkah waalon ko yeh paigaam bheja ke ham tum se Iadne nahin aaye sirf Umrah karne aaye hain, Iekin kaafir na maane aur mukhtalif sharton ke saath sulah ke liye tayyaar huwe, jin mein se ek shart yeh thi ke is saal musalmaan waapas chale jaayein aur aainda saal aa kar Umrah karein, doosri shart yeh bhi thi ke agar koi musalmaan Makkah se Madeenah jaaye to Madeenah waale us ko waapas kar dein aur agar koi Madeenah se Makkah aaye to Makkah waale us ko waapas nahin kareinge, is mauqe par kaafiron ne jitni shartein lagaaeein, Aap ﷺ ne sab ko manzoor farma liya aur sulah kar Ii.

✺ Shuru mein musalmaanon ko is tarah dab kar sulah karna pasand na aaya, lekin jab Allah Ta’ala ne us ko musalmaanon ke liye fatah qaraar diya to musalmaanon ke dilon ko itmenaan haasil huwa.


❥❥

*❖ Fatahe Makkah Mukarramah ❖*

✺ Sulah-e-Hudaibiya ke baad musalmaanon ko zara itmenaan huwa, tableeg-e-lslaam ke liye raaste khul gaye aur bahot saare log musalmaan hone lage, hamaare Nabi ﷺ ne is zamaane mein bahot se baadshaahon ke naam khutoot bhi likhe aur un ko lslaam ki da’awat di.

✺ Kuffaar-e-Makkah ziyaada arse tak sulah par qaaim na reh sake aur unhon ne sulah tod di, chunaanche hamaare Nabi ﷺ8 Hijri mein 10000 musalmaanon ke saath kaafiron se muqaabla karne ke liye Makkah rawaana huwe. Kuffaar-e-Makkah musalmaanon ki shaan-o-shauqat dekh kar dar gaye aur muqaable ki himmat na kar sake.

✺ Hamaare Nabi ﷺ Makkah mein apne sahaaba RaziyAllahu anhuma ke saath faatihaana daakhil huwe. Yeh wahi kuffaar the jinhon ne musalmaanon ko bahot takleefein di theein, tarah tarah ka zulm kiya tha aur Makkah se hijrat karne par majboor kiya tha, agar Aap ﷺ chaahte to her ek se badla Ie sakte the, lekin Aap ﷺ ne un se badla nahin liya, sab ko maaf kar diya aur farmaaya ke aaj raham wa maafi ka din hai.

✺ Kuffaar-e-Makkah hamaare Nabi ﷺ ki khidmat mein pahonch kar maafi maangne lage, jo bhi Aap ﷺ se maafi maangta Aap ﷺ us ko maaf kar dete, us din hamaare Nabi ﷺ ne Allah ke ghar “Ka’aba” ko buton se saaf kiya aur har jaga tauheed ka na’ara buland kiya.


 ❥➖➖➖➖➖➖➖➖➖❥

            *❖  Hajjatul  Wada  ❖*

✺ Fatahe Makkah ke baad Arab mein lslaam ka bol-baala ho gaya aur bahot se log lslaam mein daakhil hone lage, musalmaanon ki ta'adaad badhti chali gayi, hamaare Nabi ﷺ ne 10 Hijri mein apne 100000 se ziyaada sahaaba RaziyAllahu Anhuma ke saath haj kiya.

✺ Yeh hamaare Nabi ﷺ ka aakhri haj tha, isi haj ko "Hajjatul Wada" kehte hain. ls mein hamaare Nabi ﷺ ne Arfa ke din tamaam sahaaba RaziyAllahu Anhuma ko jama kiya aur ek bahot hi muassir taqreer farmaai.

✺ ls ke baad sahaaba RaziyAllahu Anhuma se sawaal kiya ke kya main ne tum tak Allah ka Deen pahoncha diya? Tamaam sahaaba RaziyAllahu Anhuma ne jawaab diya ke haan ! Aap ne Allah ka paigaam pahoncha diya aur apna fareeza ada kar diya.

✺ Us ke baad hamaare Nabi ﷺ haj ke tamaam arkaan ada kar ke saare qaafle ke saath Madeenah Tayyiba laut aaye.

  📗Ref: Deeniyat Course book
 
           ❥➖➖➖➖➖➖➖➖❥

Post a Comment

 
Top