0

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─
                    PART-281
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Kufr Taqatwar he ,ijtimayi Koshish honi chahiye,
↬• Pasand ko mubashrat ke barabar samajhna bada dhoka he aur Shaitaan yahi karta he k Aadmi ko Pasand per hi Qaane ( Kaafi samajhne wala ) bana deta he ,
★• is irshad ka matlab ye he k Kisi achchhe kaam ko sirf achchha samajh lene se us kaam me Shirkat nahi hoti ,balki usme lagne aur usko karne hi se uska Haq ada hota he ,
★• Lekin bahut Se logo ko Shaitaan ye dhoka deta he k Woh kaam se muttafik ho Jane ko kaam me lag Jana aur Shamil hona samajhne lagte he'n ,Ye shaitaan ka bada dhoka he ,
★ • Hamari ye tehreek Dushman Nawaz Dost kush he ,aa jaye jiska Ji chahe ,
★. Bhai ! Is waqt Kufr v ilhaad bahut taqatwar he ,esi haalat me muntshir aur infiradi islahi koshisho se kaam nahi chal sakta ,isliye poori taaqat ke saath ijtimayi koshish honi chahiye,
★• Kaynaat ko tumhara khadim isliye banaya gaya tha k Tum Allah Ta'ala ka kaam karo aur uski ita'at v bandgi aur uski marzi ke farog me lage raho ,Jab Tumne apna ye Farz chhor diya to zameen v Asmaan bhi Tumse fir Gaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  282 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-282
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Haqeeqat e ilm v Zikr,
↬• ilm v Zikr ko mazbooti se thaamne Kï zyada zarurat he ,magar ilm v Zikr Kï Haqeeqat achchhi tarah samajh Lena chahiye,
★• Zikr Kï Haqeeqat  he laparwahi na hona aur Deeni farayaz Kï adaygi me lage rehna ,Sabse ounche darje ka Zikr he ,,
★• isliye Deen Kï madad aur uske felane Kï koshish me lage rehna Zikr ka ouncha darja he ba sharte k Allah ke Hukmo aur Vaado ka khayal rakhte hue ho,
★ • Aur nifli Zikr is waaste he k Aadmi ke Jo Avqaat fara'iz me mashgool na ho Wo bekaar baato me na guzre ,Shaitaan ye chahta he k fara'iz me lagne se Jo Roshni paida hoti he aur Jo taraqqi haasil haasil hoti he Wo bekaar baato me laga ke usko barbaad kar de ,isse hifazat ke liye nifli Zikr he,
★. Garz k fara'iz se Jo waqt faarig ho usko nifli Zikr se poora kiya jaye taki shaitaan bekaar baato me mashgool karke Hume nuqsaan na pahuncha sake ,
★• ( Aur nifli Zikr ka Ek khaas aham faayda ye bhi he k  isse Aam Deeni KAAMO me Zikr Kï shaan paida hoti he Aur Allah ke Hukmo ke poora karne me aur uske Vaado ke Shoq me Kaam karne Kï maharat paida hoti he,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  283 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-283
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Sirf Jaan Lena ilm nahi he ,
↬• Fara'iz me lagna Yaha'n tak k Namaz me padhna bhi agar Allah ke Hukmo aur Vaado ke dhyan ke saath na ho to Asli Zikr nahi , Balki Jism ke kuchh hisso ka Zikr he aur Dil Kï gaflat he
★• ,Aur Hadees me Dil hi Ke mutalliq he k ,
Insaan ke Vajood me Yahi Wo center he k agar Wo theek ho to fir sab theek he aur agar ye kharab ho to sab kharab he ,
★• To asli Cheez he bas Allah ke Hukmo aur Uske Vaado ke dhyan ke saath Allah me kaamo me laga rehna ,Yahi hamare nazdeek Zikr ka haasil he ,
★ • Aur ilm se Muraad Sir Deeni Masai aur Deeni uloom ka jaanna nahi he ,
★. Dekho Yahood apni Shariyat aur Apne Asmaani uloom ke kese Aalim the k Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke nayabo ke nayabo tak ke huliye aur naqshe ,Yaha'n tak k unke Jismo ke Til ke mutalliq bhi unko ilm tha ,lekin kya in baato ke sirf jaan lene ne unko faayda diya ??
★• ( Kuchh Rivayato me he k Kuchh Yahoodi Ulma ne Hazrat Farooqe Azam Raziyallahu Anhu ke Badan ke kisi khaas hisse per Til ya Til ke qism ka koi nishaan dekh kar unke mutalliq bata diya tha k Ye Shakhs Nabi -a- Akhiruzzama'n Sallallahu Alaihivasallam ka khalifa he'n ,aur baitul muqaddas inke daur me fatah hoga ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  284 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-284
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Deen ke liye Jismo Jaan ka lagana Maqsood he  Maal ka lagana nahi ,
↬• Ilm ke liye Jo Waz- A- Muhammadi thi ,( Yani talab aur Azmat v Muhabbat ke saath dosti v mail jol se ilm haasil karna aur Zindgi se Zindgi seekhna ),
★• iski khususiyat ye thi k iske zariye jitna ilm badta tha usi qadar apni Jihalat aur apni ilm Kï kami ka ahsaas taraqqi karta tha ,
★• Aur ilm haasil karne ka Jo tareeqa aaj Jaari ho gaya he uska nateeja ye he k ilm jitna aata he Zom ( Guroor ) usse zyada paida hota he ,FIR Zom se Kibr( Takabbur) paida hota he aur Kibr jannat me nahi jayega ,
★ • iske  alawa ilm ke Zom ke baad ilm haasil karne Kï tadap nahi rehti ,Jiski Vajah se ilm Kï taraqqi khatm ho jati he ,
★. Ek Sahab Jo Tabligi Jama'at me Jane ke liye apne aapko pesh kar chuke the ,unhone Hazrat Kï khidmat me 100 Rupiya pesh kiya ,Hazrat ne unko qubool farma liya aur Farmaya :::-
" Mera Jee Chahta he k Jo log Deen ke liye Jism v Jaan ka hissa nahi dete ,Mai unka MAAL na lene Kï qasam kha lu'n ,"
★• Fir isi silsile me farmaya ::- Maal ka kharch karna Jo ibaadat he to Ye maqsood Vizzaat nahi he ,balki iski mashruiyat ( jaa'iz hona ) is Waaate se he k Maal Se lagaav na paida ho ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  285 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-285
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Imaan ka Taqaza ,
↬• Imaan ye he k Allah aur Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko Jis cheez se Khushi aur Araam ho Bande ko bhi usse Khushi aur Araam ho ,
★• Aur Jis cheez se Allah aur Rasool Sallallahu Alaihivasallam ko nagawari aur takleef ho Bande ko bhi usse nagawari aur takleef ho ,
★• Aur Takleef jis tarah talwaar se hoti he usi tarah sui se bhi hoti he ,Pas Allah v Rasool ko nagawari aur takleef Kufr v Shirk se bhi hoti he aur Gunaah Se bhi ,Isliye Hukmo bhi Gunaah se nagawari aur Takleef honi chahiye,
★ • Farmaya ::-- Hazrat Umar Farooq Raziyallahu Anhu ke zamane me Ummul Momineen Hazrat Zainab Raziyallahu Anha ke Yaha'n Jab maale ganimat ( Jung me jeeta hua maal ) me se unka hissa pahuncha ( Jo shayad miqdaar me Zyada hoga aur usse unko dilbastgi ka andesha hua hoga ) To pareshan ho kar Dua farmayi k ,Ey Allah is Ghar me ye fir na aaye ,
★. Chunache esa hi hua ,( Yani unki wafaat ho gayi )
★• Niyat ke saath Momin Bando Kï khidmat Abdiyat Kï seedi he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  286 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-286
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Momin ka Rupiya Allah ke Kaam Aaye ,
↬• Mashwar badi cheez he ,Allah Ta'ala ka Vaada he k Jab tum mashware ke liye Allah per bharosa karke jam kar bethoge to uthne Se Pehle Tumko Neki Kï Tofeeq mil jayegi ,
★• Farmaya :- Hazrat Farooqe Azam Raziyallahu Anhu aur isi tarah Doosre Sahaba Raziyallahu Anhum Kï Aamdaniya'n bahut thi aur Apne ouper kharch karne me bhi Wo Bahut soch samajh kar Kharch karne wale the ,
★• Unka khana unka Pehanna bahut mamooli tha aur nihayat saada balki fakeerana Zindgi guzaarte the, iske bavjood unme Se Bahut se Duniya se qarzdaar gaye ,
★ • Kyuki Wo Apni saari Aamdani Deen Kï Raah  me  kharch kar dete the, Dar asal Momin ka Rupiya isiliye he k Wo Allah ke kaam aaye ,
★. BARKAT ye he k koi cheez aadtan jis waqt aur jis haalat me khatm ho jani chahiye Wo usme khatm na ho aur baqi rahe ,
★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï Dua se baaz Avqaat Khane vagera me barkat ke Jo waqiyaat hue he'n unki qism yahi thi k Asal cheez khatm nahi hoti thi ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  287 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-287
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Aage Kï sochna He ,
↬•  Jo Kaam ho chuka Uska kya Zikr karna he ,Bas ye dekho k Jo kuchh Hukmo karna tha usme se kya reh gaya ,aur Jo kuchh kiya ja chuka usme Kitni aur kesi kesi kotahiya'n hui ,
★•  ikhlaas me kitni kami rahi ,Allah Ta'ala ke Hukm Kï azmat ke DHYAN me kitna kusoor hua ,Amal ke adaab Kï talaash me aur itteba Kï koshish me kitna nuqsaan raha ?
★•  in Hukmo ke bager pichhle kaam ka Zikr muzakrah aur us per khush hona bas esa he jese Raaste chalne wala musafir khada hokar pichhe Kï taraf dekhne lage aur khush hone lage ,
★ •  Pichhle kaam Kï sirf kotahiya'n talaash karo aur unko poora karne Kï fikr karo aur Aainda ke liye socho k kya karna he ?
★. Ye mat socho k ek Shakhs ne hamari baat samajh li aur aitraaf kar liya balki is per gor karo k ESE kitne laakh aur Karod baqi he Jinko hum abhi Allah Kï baat pahuncha bhi nahi sake aur kitne he'n Jo Jaankari aur aitraaf ke baad bhi hamari koshisho Kï kami Kï Vajah se Amal per nahi pade ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  288 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-288
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Namaz Deen Ka Sutoon ,
↬• Namaz ko Hadees me ," imaadud Deen " ( Deen ka sutoon ) Farmaya gaya he ,
★• iska matlab ye he k Namaz per baqi Deen mu'allaq he aur Wo Namaz hi se milta he ,
★• Namaz se Deen ka tafaqqoh bhi milta he aur Amal Kï Tofeeq bhi milti he ,Fir jesi Jiski Namaz hogi Wesi hi uske Haq me ata bhi hogi ,
★ • Isliye Namaz Kï Dawat dena aur Logo ki namazo me khushu v khujoo paida karne Kï koshish karna bilwaasta poore Deen ke liye koshish karna he ,
★. Farmaya::- Jo kaam Awaam mukhliseen Se liya ja sakta ho aur usse un mukhliseen ke darje aur Ajr me Taraqqi Kï Ummeed ho ,
*_Wo unse na Lena aur usko khud karna ,Un mukhliso ke saath hamdardi nahi he balki un per ek tarah ka Zulm he ,aur Allah ke Kanoon Kï naqadri he ,
★• Bhai Deen per Amal bade tafaqqoh ko chahta he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  289 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-289
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Ahle Haq ko Dawat Kï zyada zarurat ,
↬• Ye bahut aham usool he k Har tabqe ko Dawat usi cheez Kï Dï jaye jiska Haq hona aur zaroori hona Wo khud bhi maanta ho aur Amal me kotahi ko apni kotahi samajhta ho ,
★• Jab Wo tabqa un cheezo per Amal karne lagega to agli cheezo ka ahsaas khud ba khud paida hoga aur unki adaygi Kï salahiyat bhi paida hogi ,
★• Farmaya ::- Jo jitne Zyada ahle Haq he'n unme utne hi Zyada kaam aur koshish Kï zarurat he ,unka Deen ke waaste uthna bahut zaroori he kyuki Wahi Asal aur Jad ho sakte he'n,
★ • Afsos ! Jo log Deen ke liye Kuchh bhi nahi kar rahe he'n aur Deen ke maamle me bilkul hi gaafil aur pichhde hue he'n ,Hum unko dekh dekh kar Apni Zara si koshisho v harkat per qaane aur mutma'in ho jate he'n,
Aur samajhne lagte he'n k hum apna Haq ada kar rahe he'n ,
★• Halanki chahiye ye k Allah ke jin bando ne Deen ke liye apne ko bilkul mitaya tha hum unke namoono ko Nazar ke saamne RAKH kar hamesha apne ko chhota aur kotahi karne wala samajhte rahe'n aur JITNA kar rahe usse zyada karne ke liye har waqt harees aur bechain rahe'n,
*__Hazrat Umar Raziyallahu Anhu ko hamesha iski laalach rehti thi k kisi tarah Deen Kï khidmat me Wo Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhu ka maqaam paa le ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  290 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-290
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Lambi Baat aur Lamba mutalba na ho ,
↬• Tablig ke adaab me se ye he k baat bahut lambi na ho aur Shuru me logo se sirf utne Amal ka mutalba kiya jaye Jisko Wo bahut mushkil aur bada bojh na samjhe ,
★• Kabhi kabhi lambi baat aur lamba mutalba logo ko moonh ferne Kï vajah ban jata he ,
★• Bahut se log ye samajhte he'n k bas pahuncha dene ka naam Tablig he ,Ye badi galat fehmi he ,Tablig ye he k Apni salahiyat aur qabiliyat Kï had tak logo ko Deen Kï baat is tarah pahunchayi jaye ,Jis tarah pahunchane se logo Ke maanne Kï Ummeed ho ,AMBIYA Alaihimussalaam Yahi Tablig laye he'n ,
★ •Farmaya ::- Fazail ka Darja Masail se Pehle he ,Fazail se Amaal ke Arj per Yaqeen hota he Jo imaan ka maqaam he aur isi se Aadmi Amal ke liye Taiyaar hota he ,
★. Masail maloom karne Kï zarurat ka ahsaas to tab hi hoga jab Wo Amal per Taiyaar hoga ,
★• isliye hamare nazdeek fazail Kï ahmiyat zyada he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  291 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-291
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Qur'an Sharif Achchhi Tarah Padhna ,
↬• Tabligi Jama'at ke nisaab ka ek aham hissa Tajveed he ,Qur'an Sharif achchhi tarah padhna badi zaroori cheez he ,
★• Tajveed Dar Asal Huzoor Sallallahu Alaihivasallam se naqal ho kar hum tak pahunchi he ,
★• Lekin Tajveed Kï taleem ke liye jitna Waqt zaroori he ,Jama'at me utna waqt nahi mil sakta ,isliye un Dino me to sirf iski koshish Kï jaye k logo ko iski zarurat ka ahsaas ho jaye aur kuchh lagaav ho jaye aur Fir Seekhne ke liye Wo mustaqil waqt kharch karne per Taiyaar ho jaye ,
★ • Doosro ko Deen Kï Dawat aur Ragbat dilana Sirri ( chhupi hui ) ibaadat he ,kyuki Aam log isko ibaadat nahi samajhte aur isme ounche darje ka taadiya bhi he Jo Zahri ( Zahiri ) ibaadato me Khair ka khaas pehlu hota he ,
★. Buzurgo Kï khidmat ka maqsad dar Asal ye hota he k unke Jo Aam aur mamooli kaam Doosre log kar sakte ho  Wo unko apne zimme le le ,Taki unke Avqaat aur unki taaqate un bade KAAMO ke liye faarig rahe ,Jo wohi poora kar sakte he'n,
★• Jese kisi waqt ke buzurg ya kisi Aalim ya mufti ke Wo Aam kaam Aap Apne zimme le le Jo Aapke bas ke he'n ,aur unko inki taraf se faarig aur be fikr kar de ,To Wo Hazraat Deen ke Jo bade bade kaam karte he'n ( jese islaah v irshaad ,Dars v fatwa dena vagera ) to Wo Zyada itminaan aur Sukoon se unko poora kar sakenge ,
*_ Aur is tarah ye khaadim unke un bade kaamo ke Ajr me hisseadar ho jayenge ,to dar Asal bado Kï khidmat unke bade kaamo me Shareek hone ka ek zariya he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  292 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-292
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Muhabbat Ka Taqaza ,
↬• Farmaya ::-Asli Muhabbat ka taqaza ye hota he k Muhabbat karne wale aur Mehboob ke jazbaat aur khwahishaat tak me poora ittihaad hota he ,
★• Mere Bhai Maulana Muhammad Yahya Sahab ( Reh.) Ka ye haal tha k bavjood ye k Wo Khanqaah Se door rehte the ,lekin Aksar ESA hota k achanak unke Dil me Khanqaah Jane ka taqaza paida hota aur Wo foran chal dete aur Jab darwaza kholte to Hazrat Gangohi (  Reh. ) ko intizaar me betha paate ,
★• Farmaya ::- K Allah Ta'ala se Jab kisi Bande ko Sachchi Muhabbat ho jati he to fir yahi maamla Allah Paak ke saath ho jata he k Uski khushiya'n Bande ki khushiya'n ho jati he ,
★ • Aur Jo baate Allah ko na pasand hoti he Bande ko bhi unse nafrat ho jati he ,Aur is Muhabbat ke paida karne ka tareeqa he Muhammad Sallallahu Alaihivasallam ke tareeqe Kï farmabardari ,
★. Jo log Deendar aur Deen ko jaanne wale hone ke bavjood Deen ke felane ke liye aur ummat Kï islaah ke liye Wo koshish nahi kar rahe Jo Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Kï qaayam maqaami taqaza he ,
★• Unke bare me Ek Roz Hazrat Kï zaban se nikal gaya k ," un logo per BADA Raham aata he ," uske baad der tak istigfaar farmate rahe ,fir irshad farmaya::-
*__Maine istigfaar is per kiya k meri zaban se ye daave ka Kalma nikal gaya tha k " mujhe un logo per Raham aata he ,""
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  293 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-293
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Hamari Masjide Masjide Nabvi Ka Namoona bane ,
↬• Farmaya :- Masjide'n ,Masjide Nabvi Kï Betiya'n he ,isliye Unme Wo sab kaam hona chahiye Jo Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï Masjid me hote the ,
★• Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï Masjid me NAMAZ ke alawa Taleem v Tarbiyat ka kaam bhi hota tha aur Deen Kï Dawat ke silsile ke sab kaam bhi Masjid hi se hote the ,Deen Kï Tablig ya taleem ke liye Kaafilo ( Jama'ato ) Kï rawangi bhi Masjid hi se hoti thi ,Yaha'n tak k Faujo tak ka nazm bhi Masjid hi se hota tha ,
*__Hum chahte he'n k Hamari Masjido me bhi usi Tareeqe per ye sab kaam hone lage ,
★• Sahi kaam ka tareeqa ye he k Jo kaam niche darje ke logo se liya ja sakta ho ,Wo unhi Se liya jaye ,Unse ounche darje ke logo ka usme lagna Jabki Niche darje ke kaam karne wale bhi naseeb ho ,badi galti he balki ek tarah se niyamat Kï nashukri he aur niche darje walo per Julm he ,
★ • Deen Kï Dawat ka ahatmam mere nazdeek is waqt itna zaroori he k agar ek Shakhs Namaz ( Nifli ) me MASHGOOL ho aur ek NAYA Aadmi aaye aur Wapas Jane lage aur fir uske haath aane Kï Ummeed na ho ,To mere nazdeek Namaz ko darmiyan me Tod kar usse Deen Kï Baat kar leni chahiye aur Usse baat karke ya Usko ROK kar Apni Namaz fir Se padhni chahiye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  294 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-294
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Har Achchhe se Achchhe Kaam ke khatm per istigfaar ho ,
↬• Farmaya :- Meri haisiyat ek Aam Momin se ounchi na samjhi jaye ,Sirf kehne per Amal Karna Bad Deeni he ,
★• Mai'n Jo kuchh kahu'n Usko Kitaab v Sunnat per pesh karke aur khud gor v fikr karke Apni zimmedari per Amal karo ,Mai'n to bas mashwara deta hu'n ,
★• Hazrat Umar Raziyallahu Anhu apne saathiyo se kaha karte the k," Tumne mere Sar bahut badi zimmedari daal Dï he ,tum sab mere Amaal Kï nigrani kiya karo ,"
★ • Mera bhi Apne Dosto se bade israar aur mannat se ye darkhwast he k Meri nigrani karo ,Jaha'n galti karu'n waha'n toko aur meri hidayat v durustgi ke liye Duae'n bhi Karo ,
★. Farmaya :- Shariyat me Jo ye Taleem di gayi he k Har achchhe Se achchhe kaam ke khatm per istigfaar kiya jaye ,mere nazdeek isme ek Raaz ye bhi he k Shayad is achchhe kaam me mashguli aur masroofiyat Kï Vajah se kisi Doosre Hukm ko poora karne me kotahi ho gayi ho ,
★• Khaas kar jab kisi kaam Kï lagan me Dil lag jata he aur Dil v Dimaag per wo kaam chhaa jata he to fir iske alawa Doosre KAAMO me Aksar der ho jati he ,
*_ Isliye hamare is kaam me lagne walo ko khaas tor se kaam me zamane me aur kaam ke khatm per istigfaar Kï kasrat apne ouper zaroori kar leni chahiye,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  295 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-295
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Chhoti Neki Bade kaam tak pahunchne ka Zariya banti he ,
↬• Farmaya :- Ulma Se kehna he k in Tabligi Jama'ato Kï Chalat firat aur Mehnat v koshish Se Deen Kï sirf Talab aur qadar hi paida Kï ja sakti he aur unko Deen Seekhne per Taiyaar kiya ja sakta he ,
★• Aage Deen Kï taleem v Tarbiyat ka kaam Ulma aur Sulha Kï tavajjoh hi se ho sakta he ,isliye Aap hazraat Kï tavajjoh Kï badi zarurat he ,
★• Kisi silsile se mojoda zamane ke ek mashoor Sahibe ilm aur Sahibe Qalam Deen Kï KHIDMAT karne wale ka Zikr aa gaya, Jinki baaz Amali kamzoriyo Kï bina per khaas Deendar halqo ko un per aitraaz he to Farmaya :--
*__Mai'n to unki qadar karne wala hu'n ,Agar unme koi kamzori ho to Mai'n iska ilm bhi haasil karna nahi chahta ,Ye maamla Allah ka he ,Shayad unke paas iska koi uzr ho ,Hukmo to Aam Hukm ye he k Duae'n karo ,
★• Shaitaan ka ye bahut bada Dhoka aur fareb he k Wo mustaqbil me bade kaam Kï Ummeed bandha kar us Chhoti Neki se ROK deta he Jo us waqt mumkin hoti he ,Wo chahta he k Banda is waqt Jo Neki kar sakta he Kisi bahane se usko usse hata de ,aur is Daav me Wo Kamyaab ho jata he ,
★• Fir mustaqbil me Aadmi jis bade kaam Kï Ummeed baandhta he Aksar uska waqt hi nahi aata ,Bade KAAMO Kï ummede Aksar bekaar hi hoti he ,aur iske Khilaf Jo Neki us waqt Mumkin ho ,agarche Wo Chhoti se Chhoti hi ho ,usme lagna Aksar bade kaam tak pahunchne ka zariya ban jata he ,isliye aqalmandi ye he k Jo Neki jis waqt Jitni mil sake Us per to usi waqt Amal kar liya jaye aur Fursat se jaldi faayda utha liya jaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  296 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
 Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
☞ Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He,
                         
              ⚀ Talib e Dua,
             ⊙   Haqq Ka Daayi,
   ━═─────────────────═━

Post a Comment

 
Top