▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-273
вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔ ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
─┄┅━═══ ✦═══━┅┄─
PART-273
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..ILM aur Amal Ka Jod Ho ( Devband Ke Talba se Khitaab )
↬• Doosri baat ye he k Hamesha is fikr me lage raho aur is fikr ke bojh ke saath Zindgi guzaro k Jo kuchh padha he aur Jo padhenge uske mutabiq Zindgi guzare ,ilme Deen ka ye pehle Zaroori Haq he ,
★• Deen koi fun aur falsafa nahi he balki Zindgi guzaarne ka Wo Tareeqa he Jo Ambiya Alaihissalam lekar aaye ,
★• Allah ke Rasool Sallallahu Alaihivasallam ne, " ilmun laa yanfa'a" se ( Yani us ILM se Jo Amal per na daale ) panaah maangi he ,aur iske alawa bhi Aalim Be-Amal ke liye Jo Sakht Saza dene Kï Waiyde Qur'an v Hadees me aayi he'n Wo Aapke ilm me he ,
★ • Ye bhi Samajh Lena chahiye k Aalim Be-Amali Namaz na padhna aur Roza na rakhna ,.............nahi ,Ye to Aam logo ke Aam gunaah he'n ,Aalim ka gunaah ye he k Wo ILM per Amal na kare aur Uska Haq ada na kare ,
★. Qurane Kareem me Ahle Kitaab Ulma ke mutalliq farmaya ,"unke Vaada todne Kï Vajah se humne un per laanat Kï aur unke Dilo ko sakht kar diya ,
★• Allah Kï baato ko felane Kï koshisho me Jaan dene ke shok ko zinda kare aur iska Tareeqa sikhe aur is per Allah Ta'ala Kï taraf se Jo Vaade he'n ,Yaqeen ke saath unse Ummeede lagate hue aur uske gair Se bilkul Ummeed na lagate hue balki gairo Se Ummeede khatm karte hue Kaam karna Sikhe ,
★• Jitni Zarurat iski he k Allah hi se Ummeed rakhi jaye ,utni hi Zarurat is koshish Kï he k Allah ke alawa gairo Se Ummeed na rakhi jaye ,balki bilkul Nazar ANDAZ karke kaam karne Kï mashk Kï jaye ,
*_ Hadees me he k Jo log gairo se Kuchh Ummeed rakh kar achchhe kaam karenge ,Qayamat me unse Keh diya jayega k Jao unhi Se JAA kar apna ajr lo ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 274 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
PART-274
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… .Qad aflahal Mu'aminoona ,,,,
↬• Namaz qaayam karna saari Zindgi ko durust karne wali cheez he, Lekin Namaz qaayam karne Kï takmeel hogi un khoobiyo ke paida karne se Jinka Zikr Namaz ke silsile me Qur'an Kareem me alag alag tor per kiya gaya ,
★• Isse ye saaf maloom hota he k Namaz me Khushu bhi Namaz qaayam karne me dakhil he aur bager Khushu ke Namaz padhne wale " Muqimeene Salaat " nahi he'n ,
★• Aur Khushu paida karne Kï tarkeeb v tadbeer ye he k Allah Ta'ala ke saamne haazir hone ke Yaqeen ko Zyada se Zyada badaya jaye ,
★ • Namaz me jis Falah aur Kamyaabi ka Vaada he usko sirf Akhirat Kï kaamyabi hi me munahsir karne Kï koi Vajah nahi balki Duniya Kï kaamyabi v Kaamrani bhi isme dakhil he ,aur Matlab ye he k Jin logo me ye imaani Khoobiya'n ho ,hamari gaibi madad Duniya me bhi unka Raasta saaf karne aur falaah v kaamrani tak pahunchane ki zimmedar he ,
★. Gaibi Madad aur Gaibi taaqat jis cheez ka naam he Wo pehle se hawale nahi Kï jati balki theek waqt per Saath kar di jaya karti he Goya Allah ke khazane me Jama he ,
★• Aur imaan v tavakkul Kï shart ye he k Us per bharosa apne haath Kï haasil Kï hui taaqat se Zyada hona chahiye,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 275 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
PART-275
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Apni Qadar karo (Devband ke Talba hi se farmaya ,,)
↬• Tum Apni Qadar v qeemat to samjho ,Duniya bhar ke khazane bhi tumhari qeemat nahi ,
★• Allah Ta'ala ke Siva koi bhi tumhari qeemat nahi laga sakta ,Tum Ambiya Alaihissalam ke naayab ho Jo saari Duniya se keh dete he'n,
★• Tumhara Kaam ye he k Sabse ummedo ko khatm karte hue aur Sirf Allah ke ajr per Yaqeen v bharosa rakhte hue tavaajo aur tazallul ( apne ko kam aur past samajhna )se imaan walo Kï khidmat karo ,isi se Abdiyat Kï takmeel v tazien hogi ,
★ • Allah Ta'ala ne Zaahir v Baatin Kï Jo taaqate hume di he'n maslan Fikr v Raay aur haath paanv ,,,ye sab Allah Ta'ala ka inaam he ,aur Allah ke KAAMO me aur Uske Deen ke liye in cheezo ka istemal karna bhi isme shamil he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 276 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
PART-276
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Apni Taaqato ka sahi istemal ho ,
↬• Muslim ka Muslim se milna bas islam ko felane ke liye ho ,Varna Muslimo aur gair Muslimo Kï mulaqaat me kya fark he ?
★• Allah ne Jo zaahir v Baatin Kï taaqate ata farmayi he unka sahi istemal ye he k unko usi kaam me lagaya jaye jisme Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne apni taaqate lagayi ,
★• Aur Wo kaam he Allah ke bando ko aur khaas kar gaafilo aur be talabo ko Allah Kï taraf Lana aur Allah Kï baato ko felane ke liye Jaan ko be qeemat karne ka rivaaj dena ,
★ • Ye kaam agar hone lage ( Alhamdulillah Aaj halaat ban chuke he'n) to abse hazaro Guna Zyada Madarse aur hazaro Guna Zyada hi khanqaahe qayam ho jaye ,balki har Musalman Madarsa aur Khanqaah ho jaye aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï layi hui niyamate'n is Aam andaz me batne lage Jo uski Shaan ke mutabiq he,
★. Allah ka kaam karne aur Uski madad ke Mustahiq hone Kï sharto me se ye he k Aadmi apne Aapko aajiz v lachaar samjhe aur Sirf Allah hi ko kaam banane wala Yaqeen kare ,iske bager madad nahi hoti ,Hadees Paak me he ," mai unhi ke saath hu'n jinke dil toote hue he'n ,"
★• Har Musalman ke liye uski namojoodgi me Dua karna Haqeeqat ke liye Dua karna he ,Hadees me he k Jab koi Musalman apne kisi Musalman bhai ke liye Khair v falaah Kï koi Dua karta he to Allah ke farishte kehte he'n k Ey Allah ke bande yahi cheez Allah tujhe bhi de ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 277 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
PART-277
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Khairiyat ka Maiyaar ,
↬• Hamare is kaam ( Dawat Tablig ) me ikhlaas aur Sachche Dil ke saath ijtimaiyat aur mil jul kar aapsi mashware Se kaam karne Kï badi Zarurat he aur iske bager bada khatra he ,
★• Hazrat Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu, Hazrat Abu Ubaida aur Hazrat Ma'az Raziyallahu Anhu se farmate the k ,Mai tumhari nigrani se be niyaaj nahi hu'n ,mai bhi Aap logo se yahi kehta hu k mere halaat per Nazar rakhiye aur Jo baat tokne Kï ho us per tokiye ,
★• Hazrat Farooqe Aazam Raziyallahu Anhu ke Governoro ke paas se jab koi qasid aate to Aap unse governoro Kï khairiyat puchhte aur unke halaat maloom karte ,lekin iska matlab Deeni khairiyat aur Deeni haal puchhna hota tha na k Aaj kal ke rivaaj ke mutabiq mijaz pursi ,
★ • Chunache ek Governor ke paas se aane wale qasid se jab Aapne Governor Kï khairiyat puchhi to unhone kaha ,," Waha khairiyat kaha'n he ,Maine to unke dastarkhwan per Do Do saalan Jama dekhe ,"
★. Goya k Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam Jis tarze Zindgi per Sahaba Kiraam ko chhor gaye the bas us per qaayam rehna hi in hazraat ke najdeek khairiyat ka maiyaar tha ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 278 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
PART-278
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Deen ke Liye Kam se Kam Pasina to bahao ,
↬• Allah Se uska Fazal aur Rizq vagera maangna to Farz he aur Apni ibaadat v khidmat vagera ka Duniya hi me BADLA chahna Haraam he ,
★• Tamaam gunaah Kufr hi Kï Shaakhe aur Uski Aulaad he'n aur isi tarah Tamaam Nekiya'n imaan Kï Aal Aulaad he'n ,Hamari ye tehreek dar Haqeeqat imaan Kï tajdeed ( taza karna ) aur uski takmeel Kï tehreek he ,
★• Deeni kaamo ko be maqsad ya Allah ke Hukm Kï ita'at aur Allah Kï Raza aur Akhirat ke sawab ke Siva aur maqsado ke liye karna bhi Deen ko Lahu v La'ib ( Na-jaa'iz khel kood ) banana he ,
★ • Farmaya - Jin jagaho ko Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne jaano Kï baazi laga kar ,aur Sahaba Kiraam ne Deen Kï RAAH me Apne ko mita kar Jo kuchh haasil kiya tha ,tum log usko Araam se lete lete kitaabo se haasil kar lena chahte ho,
★. Jo ina'amaat aur Natije khoon se wabasta the unke liye Kam se Kam Pasina giraana to chahiye,
★• Waha haal ye tha k Hazrat Abu Bakar v Hazrat Umar Raziyallahu Anhum bhi Deen Kï RAAH me apne ko mita dene ke bavjood aur Huzoor Sallallahu Alaihivasallam Kï khuli hui aur yaqeeni khush khabriyo ke bavjood is Duniya se Rote Rote hue gaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 279 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
PART-279
PART-279
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Nikalne ke Zamane Kï Mehnat ,
↬• Ye bhi zaroori he k Khaas tor se Nikalne ke zamane me Sirf Apne khaas kaamo me mashguliyat rahe aur doosre Tamaam kaamo se alag raha jaye ,
★• Wo khaas kaam ,1- Tabligi Gasht ,2- Ilm ,3- Zikr ,4- Deen ke liye ghar chhor kar nikalne wale apne saathiyo Kï khaas tor se aur Allah Ta'ala Kï Aam Makhlooq Kï Aam tor se khidmat Kï mashq ,
★• 5- NIYAT ka Sahi hona aur ikhlaas v Ahtisaab ( apna muhasba karna ) ka ahatmam aur ittihame nafs ( Nafs Kï Shirkat Kï tohmat ) ke saath baar baar is ikhlaas v Ahtisaab Kï tajdeed karna,
★ • Yani is kaam ke liye nikalte waqt bhi ye khayal karna aur Safar ke darmiyan me bhi baar baar is khayal ko taza karte rehna k hamara ye nikalna sirf Allah ke liye aur un Akhirat Kï niyamato ke laalach me he Jinka Vaada Deen Kï madad karne aur is Raaste Kï takleefe uthane per farmaya gaya he ,
★. Yani baar baar is dhyan ko Dil me jamaya jaye k agar mera ye nikalna khalis ho gaya aur Allah Ta'ala ne usko qubool farma liya to Allah Ta'ala Kï taraf se mujhe Wo niyamate'n Zaroor milengi Jinka Vaada is kaam per Qur'an Paak aur Ahadees me farmaya gaya he aur woh yeh hongi ,
★• Bahar haal in Allah ke vaado per Yaqeen aur inki Ummeed ke dhyan ko baar baar taza kiya jaye aur apne saare Amal ko usi Yaqeen aur usi dhyan se bandha jaye ,bas isi ka naam " imaan v Ahtisaab " he aur Yahi hamare Amaal Kï Rooh he ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 280 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
PART-280
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Allah Ke Vaado Ka Yaqeen Paida Karo ,
↬• Haay !Allah ke Vaado per yaqeen nahi raha ,Allah ke Vaado per Yaqeen aur bharosa paida karo aur fir us Yaqeen v bharose hi Kï Buniyad per Kaam karne Kï mashq karo ,
★• Aur Allah ke Vaado ke ma'ane bhi khud na gado ,tumhara ilm aur Tajurba bahut mehdood he ,Allah ke Vaado ka matlab uski Shaan ke mutabiq samjho aur usse yuhi maango k Apni Shaan aur Apni qudrat ke mutabiq un Vaado ko poora farma ,
★• Akhirat Kï Niyamato ka MATLAB aur Asal Haqeeqat ka tum is Duniya me kya andaza kar sakte ho aur Kyukar Wo andaza sahi ho sakta he ,Jabki Hadeese me un niyamato Kï khoobi hi ye Bayan Kï gayi he k ,---
*__Jannat me esi niyamate'n he'n Jo na to kisi Aankh ne dekhi he Aur na kisi kaan ne uska haal suna he aur na kisi insaan ke Dil me kabhi uska khayal aaya he ,
★ • Afsos humne uski Vaada Kï hui niyamato ko apne ilm v samajh aur is Duniya ke apne mushahide aur Tajurbe ke mutabiq samajh kar aur uski Ummeed baandh kar bada ghaata kar liya ,
★. " Laqad Hajjartum wasian," uski niyamate'n aur uski ATA v bakhshish to uski Shaan ke mutabiq hogi ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★• 281 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
☞ Allah Ke Paigam ko Duniya tak Pahunchana aur Apne Per Mehnat Karna Hamare Faraiz me Shamil He,
⚀ Talib e Dua,
⊙ Haqq Ka Daayi,
━═─────────────────═━
☆
⚀ Talib e Dua,
⊙ Haqq Ka Daayi,
━═─────────────────═━
☆
Post a Comment