0
****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-891***
     **Qayaamat ka Khufnaak Manzar**
Mafhum e Hadees ke Mutabiq Qayaamat ke Din Hisaab-kitaab ke dauraan (humaarey) Daayey (aur) Baaye (jaaneeb humne jo jo achchhey-burey) Aama'al (dunya mein kiye honge wo) Nazar aayenge aur (humarey) Aage (kee aur Dozakh kee) Aag Nazar aayengee !!
Jannat aur Dozakh ke Zariye hamaarey liye
Jannat mey Daakhla aur Dozakh se Panaah ki
DuAa mangwaaney ka Aasaan Nuskha :
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Farmaan :
Jo Aadmi bhi Din mey 3 Martaba (ALLAH se) Jannat maangega toa (khud) Jannat (sifaarish mey) kahengi :
“aye ALLAH…merey andar (issey) Daakhil kar de isey…!!”
Aur jo Aadmi bhi Din mey 3 Martaba Dozakh se Panaah maangegatoa Dozakh (bhi sifaarish mey) kahengi…
“aye ALLAH… mujh se Hifaazat Farmaana iski…!!”
(baHawaala Tirmizi Shareef)
Awwal-Aakhir 1 ya Ziyaada Marataba Duruud Shareef ke saathRozaana 3-3 Martaba nichey likhey dono Jumlo ke zariye DuAa mango…
• aye ALLAH… mujhe Jannat ataa Farmaa…
• aye ALLAH … Dozakh se meri Hifaazat Farmaa….
---------------------------/------------/----------------------
Ek/ziyaadaah Martaba
Laa ilaa ha illal LAAHU wah Dahu Laa Sharika Lahu,
Lahul Mulku wa Lahul Hamdu, wa huwa A'laa kulli Shay-in Qadeer.
Padhkar DuAa maango, in sha ALLAH aapke liye Aasmaan ka Darwaaza Khul jaayenga,
ALLAH aapko Dekhenga aur aapki DuAa Qubuul hongi !!
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
----------------//----------------//---------------//-----------
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-----------------//------------//---------------//--------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
________//___________//___________//_______

https://docs.google.com/uc?authuser=0&id=0By0HKMbEvyExMTJfcDkxLWVTQ2s&export=download

Post a Comment

 
Top