0



****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-890****
            **Fazail e Istighfaar - 351**
Fazail e Istighfaar par Itney Ziyaadaah aSbaaq deney par Hazrat Mavlana Yunus Sahib db ko Hum sachchey DiL se MubarakBaadi de rahey hai...
Maghfirat - Gunaah MuAafi ka Nabwee Nuskha
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Farmaan : :
Jo Shakhs 1 martaba
(dusri riwaayat ke Mutabiq 3 Martaba ye jumlaa) Padhey :
AstagfiruLLA Hal-lazee laa ilaa ha illaa hu-wal Hayyul Qayyumu wa Atubu ilai-hi.
(toa) iskey Padhtey hi ALLAH (ye jumla/astaghfaar
Padhneywale ke) Gunaaho ko MuAaf kar deta hai agarchey wo Maidaan e Jung se (bina ijazat) Bhaaga ho…!!
(baHawaala Abu Daawud, Haakim Shareef aur Hisn e Haseen page 488)
Tarjama : Mai uus ALLAH se Maghfirat (gunaah ki MuAafi/Repentance) chaahta hu jiske siwaa koi Maabud Nahin, wo (hamesha hamesha) Zinda Rahnewaala (Aasmaano aur Zameen ko) Qaayam rakhneywala hai aur uusi se Tavbaah karta hu…!!
TnC Apply-Shartey Laagu : Jaadu-Tona karna, Bila Kasur Talaaq Dena-Khula Maangna, Gumraahi wali Baat ko Deen kahkar logon mein failana, gairHadees ko Hadees kahkar aage badhana, Jhuthe Khwaab bayaan karte rahna, ALLAH walon ki Toheen karte rahna, Qarz, Amaanat, Miraas, Huqu ul Ibaad (logon ke huquuq/human rights), Qaza Namaaz, Qaza Rozeh, baaqi Qurbaani, baaqi Farz Haj, pichhli–mavjudaah baaqi Zakaat, baaqi Kaffara, pichhla–baaqi Fitra, Rail-Bus mein Bila Ticket Safar, Meters mein setting-Gadbad karke Gas, Bijli, Paanee wagairaah ki chori, Kisi Insaan ko ya Kisiki 2-3-4 Wheeler ko Takkar Maarkar-Nuqsaan Pahoochakar Bhaag jaana, AibDaar maal Aib bataye bagair hi bechna, Kisi ka bhi Nuqsaan karna, Kisi ko Satana-Takleef Dena, wagairaah ye sab Gunaah, Logon ke Huquq waigairah Tavbaah - Istighfaar, Kaamil Wuzu, Kaamil Namaaz, Roney GidGidaane se ya koi bhi DuAa, Daruud Shareef padhney ya Mannato se ya Yawm ul Arfaah ki Haajri-Yawm ul Arfaah ki DuAa, Haj, SalaatusTasbih se ya aur koi bhi Nuskhey se muAaf NAHIN HONGE, Lihaaza jald se jald inn Tavbaah-Istagfaar-Tasbeeh-Nuskhoo se MuAaf Nahin honewale Tamaam Gunaaho ki Mukammal Tafseel Ulma se maalum karke in Gunaaho ki MuAafi - Talaafi - Adaigee kaisey ki jaaye ye Ulma se Puchhkar favran amal kijiye kyuke Zindagee ka koi bharosa Nahin. Zindagee ke is mavqe ka Faaydaah uuthaaeeye warna ye Mavquah aur Zindagi Naa Milegi Dobaara
----------------
---------------------------
Apney MaaBaap ke liye Surah (Number 14) ki AayaatNo. 41 (14:41) ke zariye DuAa kiyaa kijiye :
Rabbanagfirlee wali Waali Dayya walil Mu’meenena Yawma Yaqqu-mul Hisaab.
Tarjama: aye Humaare (piyaare) Rabb, Humaare (Gunaaho ko) aur Humaare MaaBaap (ke Gunaaho ko) aur (Tamaam) Ahl e Imaan (ke Gunaaho ko) MuAaf karna uus (qayaamat ke ) Din Jab (aamaalo ka) Hisaab (scrutiny) honga.
Ye DuAa padhney se MaaBaap ke liye DuAa e maghfirat ke saath saath Tamaam Ahl e Imaan ke liye bhi DuAa e maghfirat ho jaati hai aur Nek logon mein humara shumaar bhi ho jaata hai jaisey kisi ne ek buzurg se Do sawaalaat kiye ke :
1) Mai Nek hu ya Nahin ye kaisey MaAlum honga ??
2) Nek Banne ka Nuskhaah kiya hai ??
Buzurg ke Jawaabaat :
1) agar Tum hamesha apney MaaBaap ke liye DuAa karte ho toa Tum Nek ho kyuke Nek Avlaad hi apney MaaBaap ke liye DuAa karti hai !!
2) Nek Banne ka Nuskhaah ye hai ke hamesha
Apney Hayaat ya Marhum MaaBaap ke liye DuAa kiyaa karo kyuke RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ke Qaul ke Mutabiq Nek Avlaad (hi) apney MaaBaap ke liye DuAa karti hai !!
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
--------------------/---------------/-----------------/----------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
_______//________//_________//_____________

Post a Comment

 
Top