0
****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-886***

        **Tawfeeq kee Alaamatey**
Agar ye mAalum karna ho ke ALLAH kee Tawfeeq mujhe hai ke Naheen toa apnee Zindagee par Ek Nazar Daalon, agar ye 5 aamaal kee Tawfeeq mil rahee hai toa samjo ke ALLAH kee Tawfeeq hamare saath hai :
1) MaaBaap kee Farmaabadaree
2) Huquq ul Ibaad kee Adaygee
3) Biwee aur Ghar walon ke saath achchha Suluuk
4) Padoosiyo ke Saath Achchha Suluuk
5) Logon ke Kusuuro ko muAaf karna
6) Zaaleem se Badla naa lekar Sabr Ikhtiyaar karna
7) Halaal Rozi
8) Zina, Sharaab, Gheebat, Chugli jaisey Kabira Gunaah se Bachney kee Tawfeeq
9) Deen ke Ahkaam kee Adaaygee
10) QurAan kee Tilaawat, Zikr kee Tawfeeq
Anmool Zik'r
Sub-haanALLAHi wa-bi-Hamdihi Ada-da Khalqihi,
wa Rida Nafsihi, wa zinata Arshihi, wa Mida-da Kalimaatihi.
Fazilat : ALLAH khush hota hai...
TnC Apply/Shartey Laagu : Jaadu-Tona karna, Bila Kasur Talaaq Dena-Khula Maangna, Gumraahi wali Baat ko Deen kahkar logon mein failana, gairHadees ko Hadees kahkar aage badhana, Jhuthe Khwaab bayaan karte rahna, ALLAH walon ki Toheen karte rahna, Qarz, Amaanat, Miraas, Huqu ul Ibaad (logon ke huquuq/human rights), Qaza Namaaz, Qaza Rozeh, baaqi Qurbaani, baaqi Farz Haj, pichhli–mavjudaah baaqi Zakaat, baaqi Kaffara, pichhla–baaqi Fitra, Rail-Bus mein Bila Ticket Safar, Meters mein setting-Gadbad karke Gas, Bijli, Paanee wagairaah ki chori, Kisi Insaan ko ya Kisiki 2-3-4 Wheeler ko Takkar Maarkar-Nuqsaan Pahoochakar Bhaag jaana, AibDaar maal Aib bataye bagair hi bechna, Kisi ka bhi Nuqsaan karna, Kisi ko Satana-Takleef Dena, wagairaah ye sab Gunaah, Logon ke Huquq waigairah Tavbaah - Istaghfaar, Kaamil Wuzu, Kaamil Namaaz, Roney GidGidaane se ya koi bhi DuAa, Daruud Shareef padhney ya Mannato se ya Yawm ul Arfaah ki Haajri-Yawm ul Arfaah ki DuAa, Haj,
SalaatusTasbih se ya aur koi bhi Nuskhey se muAaf NAHIN HONGE, Lihaaza jald se jald inn Tavbaah-Istagfaar-Tasbeeh-Nuskhoo se MuAaf Nahin honewale Tamaam Gunaaho ki Mukammal Tafseel Ulma se maalum karke in Gunaaho ki MuAafi - Talaafi - Adaigee kaisey ki jaaye ye Ulma se Puchhkar favran amal kijiye kyuke Zindagee ka koi bharosa Nahin. Zindagee ke is mavqe ka Faaydaah uuthaaeeye warna ye Mavquah aur Zindagi Naa Milegi Dobaara
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
__________//__________//__________//_____
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai..
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
___________//__________//__________//______
https://docs.google.com/uc?authuser=0&id=0By0HKMbEvyExaHVzb2tKYVRRSDA&export=download

Post a Comment

 
Top