0



*** Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-887***
                **Kiraaman - Kaatibeen** :
                  CCTV cum Micro-Chip
Humaarey har Aamaal kee Recording ho rahee hai kyuke har Insaan ke saath ALLAH ne Kiraaman Kaatibeen rakhey hai jo Tamaam Aamaal Shoot bhee kartey hai aur uusey Mahfuz bhee rakhtey hai !!
Nukta...Point...
Sahaba e Kiraam rizwn. ne kabhee ye Shak Zaaheer Naheen kiya ke Kiraaman - Kaatibeen humarey Tamaam Aamaal ka Record kaisey Mahfuz rakhenge ??
60 Saal ki Zindagee ka Record rakney ke liye Haazaaron kitaabey chaahiye aur wo Qayaamat ke Din Humarey haath mein kaisey dee jaayengee?/ Hum uusey uuthayenge kaisey??
Hamaara Imaan Sahaba e Kiraam rizwn. jaisa Kavee Naheen hai esliye hee ALLAH ne Memory Card, Micro Chip, wagairaah jaisee Technology ata kee hai taake humey Imaan kee Baaton par Shak Paidaah Naa ho !!
---------------------//-------------//-------------//------------
Anmool DuAa
Rabbana Aa’tinaa Fid-Duniya Hasa-na-taw wa fil Aakhirati Hasa-na-taw wa Qee-naa Azaaban Naar...
Surah Baqarah Aayaat No. 201 (02:201)
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
---------------------/-------------/---------------/------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
__________//__________///____________//____

Post a Comment

 
Top