0

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    PART-256
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Deen ke liye Nikalne wale Gareeb Aur Majboor Logo per Kharch Ke Usool -2,
↬• Maali imdaad ke adaab me se ek ye bhi he k Bahut hi Chhupe tor per aur izzat v ahatram ke saath diya jaye ,aur dene wale Ameer log Deen Kï khidmat me lage hue gareebo ke qubool kar lene ko unka ahsaan samjhe ,
★• Aur unko apne se bada samjhe k bavjood tangi v gareebi ke Wo Deen ke liye ghar se nikalte he'n ,Deen ke liye ghar se nikalna Hijrat Kï sifat he aur unki Madad karna Nusrat Kï sifat he ,
★• Aur Ansar kabhi muhajireen ke barabar nahi ho sakte ,
★ • 4- is Raah me kaam karne walo Kï madad Zakaat v Sadqaat se zyada Tohfe Kï soorat me Kï jaye ,
★. Zakaat v Sadqaat Kï misaal haandi ke mail kuchel aur Raddi hisse Kï si  he k usko nikaalna zaroori he ,Varna saari Haandiya kharab rahegi ,
★• Aur Tohfe Kï misaal ese samjho jese k Taiyaar Khane me khushbu daali jaye aur us per Chandi Sone ke waraq laga diye jaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  257 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    PART-257
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Deen Ke liye Nikalne Wale Gareeb Aur Majboor Logo Per Kharch Ke Usool-3,
↬• 5-Deen ke liye ghar se nikalne walo Kï madad Kï ek Sabse badi soorat ye bhi he k Unke ghar walo ke paas jaa kar unke Saude vagera aur unki zaroorato Kï Fikr kare ,
★• Aur unko Araam pahunchane Kï koshish kare ,Unhe bataye k Tunhare ghar ke log kese Azimusshan Kaam me nikle hue he'n aur Wo kitne khush naseeb he'n ,
★• Garaz ye k khidmat aur Targeeb se itna mutma'in kare k Wo khud Apne ghar ke nikle hue logo ko likhe k " hum log yaha har tarah Araam se he'n ,tum itminan ke saath Deen ke kaam me lage raho ,"
★ • 6- Maali madad ke sislsile me halaat jaanne Kï koshish karne Kï bhi zarurat he ,( Yani Deen ke kaam me lage rehne walo ke halaat per gor kare aur toh lagaye k unki kya zaruriyaat he'n ,aur unki guzar basar kesi he ,) ,
★. 7- Halaat Jaanne Kï ek soorat jisko khaas tor se rivaaaj dena chahiye ye he k Bade log Apni Aurto'n ko Deen ke waaste nikalne wale gareebo ke GHARO me bheja kare ,
★• Unse un gareeb ghar walo Kï hosla afzaai aur Dildaari bhi hogi aur unke andruni halaat ka bhi kuchh ILM hoga ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  258 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔: 
    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    PART-258
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..INFAAQ  FI  SABILILLAAH ,
↬• Khuda Kï RAAH me kharch karne per Quran v Hadees me Duniyavi Barkaat ka Jo Vaada kiya gaya he ,Wo uska Ajr nahi he ,
★• Nekiyo'n ke Asal ajr ko to Duniya bardasht hi nahi kar sakti ,Waha'n Kï khaas niyamato Kï bardasht yaha kaha'n ?
★• is Duniya me to Pahaad Jesi sakht Makhlooq aur Hazrat Moosa Alaihissalam jese Bade Paigambar bhi ek Tajalli Kï taab na la sake ,
★ • Jannat Kï niyamate'n agar Yaha'n bhej Dï jaye to KHUSHI se maut waqe ho jaye ,Yahi haal waha'n Ke azaab ka he ,agar Dozakh ka ek Bichchhu is Duniya Kï taraf rukh kare to ye saari Duniya uske Zehar Kï tezi se sookh jaye ,
★. Khuda Kï RAAH me kharch karne walo Kï misaal Quran paak me Jo us Shakhs se di gayi he Jisne Ek Daana boya aur usse Saat So (700) daane paida hue ,
★• To ye misaal Duniyavi barkaat Kï hi he ,Akhirat me iska Jo Ajr milega Wo to bahut ouncha hoga ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  259 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔: 
    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
                    
            ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    PART-259
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Kaam se Pehle Allah se Dua Kijiye,
↬• is Raah me kaam karne ki sahi Tarteeb yu he k Jab koi qadam uthana ho ,Jese khud tableeg me Jana ho ya kisi ko bhejna ho ,Ya Shukook v Shubhaat rakhne wale Kisi Shakhs ko mutmain karne ke liye usse mukhatab hone ka iraada ho ,
★• To sabse pehle apni Na-ahliyat ka aur bebasi aur wasayal v asbaab se apne khali haath hone ka khayal karke Allah ko haazir naazir aur qaadire mtlaq Yaqeen karte hue poori gidgidahat v Rone ke saath usse arz kare ,
★• K ,Ey Khuda ! Tune barha bager asbaab ke bhi sirf apni poori qudrat se bade bade Kaam kar diye ,ilaahi Bani Israeli ke liye tune sirf apni qudrat se hi Samandar me khushk raasta paida kar diya ,
★ • Hazrat Ibrahim Alaihissalam ke liye tune apni Rehmat aur Qudrat hi se Aag ko guljaar bana diya tha ,aur Ey Allah ! Tune apni Chhoti Chhoti Makhlooq se bhi bade bade kaam liye he ,Ababeel se tune Abraha ke haathiyo wale lashkar ko haar dilwayi aur apne ghar Kï hifazat farmayi ,
★. Arab ke Ount charane wale anpado se tune Deen ko saari Duniya me chamkaya aur Kaisar v Kisra Kï hukumato ko tukde tukde kara diya ,
★• Pas Ey Allah ! Apni is purani sunnat ke mutabiq mujh nikamme ,nakaara aur Aajiz v kamzor bande se bhi kaam le le ,aur mai tere Deen ke JIS kaam ka iraada kar raha hu uske liye Jo tareeqa tere nazdeek sahi he mujhe uski taraf rehnumayi farma aur Jin asbaab Kï zarurat ho Wo sirf apni qudrat se ata farma de ,
*__Bas Allah se Ye Dua maang kar fir kaam me lag jaye ,Jo asbaab Allah Kï taraf se milta rahe unse kaam leta rahe ,aur sirf Allah hi Kï qudrat v madad per poora bharosa rakhe hue apni poori koshish karte rahe aur Ro Ro kar usse madad aur " injaaze Va'ad ,"( Quean paak ka Vaada )  Kï darkhwast bhi karta RAHE balki Allah hi ko Asal samjhe aur Apni koshish ko iske liye shart aur Parda samjhe ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  260 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔: 


                    PART-260

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦


❈…… ..Khud se Zyada Doosro per Mehnat ,
↬• Khud Kaam karne se bhi  zyada tavajjoh aur Mehnat doosro ko is Kaam me lagane aur unhe Kaam sikhane ke liye karni chahiye,
★• Shaitan jab kisi ke mutalliq ye samajh leta he k ye to kaam ke liye khada ho hi gaya he aur ab mere bethaye bethne wala nahi he to fir uski koshish ye hoti he k Khud to laga rahe magar doosro ko lagane Kï koshish na kare ,
★• Isliye Wo is per Raazi ho jata he k ye Shakhs is bhalai ke kaam me poore tor se is qadar masroofiyat se lag jaye k doosro ko Dawat dene aur lagane ka usko hosh hi na ho ,
★ • Isliye Shaitan ko haar is tarah hi Dï ja sakti he k doosro ko uthane aur unhe kaam per lagane aur kaam sikhane Kï taraf zyada se zyada tavajjoh di jaye ,
★. Aur Dawat ilal khair aur Dalalat ilal khair ( Neki Kï taraf Dawat aur Neki ke KAAMO per dalalat ) ke kaam per ajro sawab Ke Jo vaade Quran v Hadees me farmaye gaye he'n unka khayal aur dhayan karte hue aur usi ko apni tarakki aur takarrub ( khuda ke qareeb hone ) ka sabse bada zariya samajhte hue iske liye koshish Kï jaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  261 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    PART-261

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… ..Deen me Thehraav nahi ,

↬• Ya to Aadmi Deen me taraqqi kar raha hota he aur Ya niche girne lagta he ,

★• iski misaal yu samjhiye k Baag ko jab paani aur Hawa muwafiq ho to hariyali v taazgi me taraqqi hi karta rehta he ,

★• Aur jab mausam muwafiq na ho ya paani na mile to esa nahi hota k ye hariyali aur taazgi apni jagah per thehri rahe balki usme kami shuru ho jati he ,Yahi haalat Aadmi ke Deen Kï hoti he ,

★ • Logo ko Deen per laane aur Deen ke kaam me lagane Kï tarqeebe socha karo ( Jese Duniya wale apne Duniyavi maqasid ke liye tarkeebe socha karte he'n) aur Jisko JIS tarah se mutavajjah kar sakte ho uske saath usi raaste se koshish karo ,

★. Tabiyat mayoosi ( na ummeedi ) Kï taraf zyada chalti he ,kyuki mayoos ho Jane ke baad Aadmi apne ko Amal ka zimmedar nahi samajhta aur fir use kuchh karna nahi padta ,Khoob samajh lo ye NAFS aur Shaitan ka bada dhoka he ,

★• Asbaab Kï KAMI per Nazar daal kar mayoos ho Jana is baat Kï nishani he k tum asbaab parast ho aur Allah ke Vaado aur uski gaib Kï taaqato per tumhara Yaqeen bahut kam he ,

*__Allah per bharosa kar ke aur Himmat karke utho to Allah hi asbaab paida karte he'n ,Varna Aadmi khud kya kar sakta he. ,Magar Himmat aur taaqat bhar koshish shart he ,


------- Baqi hidayaat agle part me, 

★• 🔜 262 , in sha Allah ta'ala, 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔


                    PART-262

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… ..Gair Qaumo Kï Pairvi Na kare ,

↬• Zara socho to ! Jis Qaum ke Aasmani Uloom ( Yani Hazrat Maseeh Alaihissalam ka laya hua ilm ) ka chiraag ,Uloome Muhammadi ( Quran v Sunnat ) ke saamne bujh gaya balki Allah Kï taraf se mansookh kar diya gaya ,

★• Aur barahe Raast usse Roshni haasil karne ko saaf mana farma diya gaya, Usi Qaum Kï ahwa v amaani ( yani un Isaai Qaumo ke apne khud ke banaye hue nazariyo ,tareeqo ) ko is Quran v Sunnat ke haamil Muhammad Sallallahu Alaihivasallam Kï Ummat ka Akhtyar kar Lena aur usko sahi kaam ka tareeqa samajhna kitna bura aur kis qadar Allah ko gussa dilane  wala hoga ,?

★• Aur Aqal ke hisaab se bhi ye baat kitni galat he k Ummat wahih ( Quran v Sunnat ) ke mehfooz hote hue bhi ( Jisme Zindgi ke tamaam infiradi v ijtimayi shobo ke mutalliq poori hidayate mojood he'n ) Gair Qaumo Ke Tor tareeqo ki pervi Kï jaye ,Kya ye Uloome Muhammadi Kï na-qadri nahi he ,


------- Baqi hidayaat agle part me, 

★• 🔜 263 , in sha Allah ta'ala, 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    PART-263

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… ..Bahut Saada aur Bahut Najuk Kaam he ,

↬• Hum jis Deeni Kaam Kï Dawat dete he'n, Zahir me to ye bada Saada sa kaam he ,lekin haqeeqat me bada Najuk kaam he ,

★• Kyuki yaha maqsood sirf Karna Karana hi nahi he balki apni koshish karke apni majboori ka Yaqeen aur Allah Ta'ala Kï qudrat v madad per bharosa paida karna he ,

★• Allah ka Tareeqa yahi he k agar Allah Kï madad ke bharose per apni saari koshishe hum kare to Allah Ta'ala hamari koshish aur harkat hi me apni madad ko shamil kar dete he'n,

★ • Apne ko bilkul be kaar samajh kar bethe rehna to " Jabriyat " he aur apni hi taaqat per bharosa karna ," Qadriyat " ( qadar karna ) he ( aur ye dono gumrahiya'n he'n ) aur sahi Islam in dono ke darmiyan he ,

★. Yani Allah Ta'ala ne mehnat aur Koshish Kï Jo hakeer si taaqat aur salahiyat hume de rakhi he ,Allah ke Hukm ko POORA karne me usko to poora POORA laga de ,aur isme koi kasar na chhode ,

★• Lekin nateeje ke paida karne me Apne ko bilkul Aajiz aur be bas Yaqeen kare aur sirf Allah Ta'ala Kï madad hi per bharosa kare aur sirf usi ko kaam karne wala samjhe ,

*__Farmaya -- Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ke namoone se iski poori tafseel maloom Kï ja sakti he, Musalmano ko hamari Dawat bas yahi he. 


------- Baqi hidayaat agle part me, 

★• 🔜 264 , in sha Allah ta'ala, 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    PART-264

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… ..Ziyarat Ka Mafhoom ,

↬• Panjab ke ek Deendar Musalman ka zikr karte hue farmaya :-

★• Wo Jab pehli dafa aaye to ittefaq se mai'n us waqt ibne maaja Sharif ka Sabaq padha raha tha ,Unhone Salam kiya ,Maine Hadees ke Dars me mashguliyat Kï vajah se jawab nahi diya ,

★• Fir Wo wahi beth gaye aur thodi der ke baad ( sabaq hi ke dauran ) unhone kaha k mai'n fala jagah se aaya hu'n ,Maine uska bhi koi jawab nahi diya ,

★ • Kuchh der baad Wo uth kar chalne lage to ab Maine unse puchha k Aap kyu aaye the ? Unhone kaha k " Ziyarat ke liye " 
Maine kaha ,Jis Ziyarat ki Hadees me targeeb aur Fazilat aayi he Wo yeh nahi he ,k kisi Kï sirf soorat dekh li jaye to ye esa he Jese kisi Kï tasveer dekh li ,

★. Shara'i Ziyarat ye he k Uski baat puchhi jaye ,Uski Suni jaye ,aur Aapne to na kuchh kahi aur na meri kuchh Suni , " Unhone kaha k kya mai'n thehar jau ? ,mene kaha Zaroor ,

★• Chunache Wo thehar gaye aur fir Jab unhone meri baat ko suna aur Samjha aur Yaha ke kaam ko dekha to apne bade bhai .......ko bulaya ,

*_Agar mai'n usi waqt usi TOR per thodi baat unse kar leta to Jo kuchh baad me hua kuchh bhi na hota aur Bas Wo " Ziyarat "hi  karke chale jate ,

*_Farmaya :- Zamane ke badalne se Deeni istilaahaat ke maa'ne bhi badal gaye aur unki Rooh nikal gayi ,Deen me ," Muslim Kï Muslim se mulaqaat " Kï fazilat isliye he k unme Deen Kï Baate ho ,Jis mulaqaat me Deen ka koi Zikr na ho Wo be Rooh he ,


------- Baqi hidayaat agle part me, 

★• 🔜 265 , in sha Allah ta'ala, 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔

                    PART-265

✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦

❈…… ..Islaah Kï Tarteeb,

↬• Hamare Nazdeek islaah Kï tarteeb yu he k ( Kalma- A- Tayyiba ke zariye imaani muahido ko taza karne ke baad ) sabse pehle Namazo Kï durustgi aur poore hone Kï fikr Kï jaye ,

★• Namaz Kï BARKAT poori Zindgi ko sudharegi ,Namaz hi ke Salaah aur Kamaal se baqi Zindgi per salahiyat aur Kamaal ka Faizan hota he ,

★• Hamari is Deeni Dawat me kaam karne wale sab logo ko YEH baat achchhi tarah Samjha deni chahiye k Tabligi Jama'ato ke nikalne ka maqsad Sirf doosro ko pahunchana aur batana hi nahi balki is zariye se apni islaah aur apni taleem v tarbiyat bhi maqsood he ,isliye nikalne ke zamane me ILM aur Zikr me mashguliyat ka bahut Zyada ahatmam kiya jaye ,

★ • Deen ke ILM aur Allah ke Zikr ke ahatmam ke bager nikalna kuchh bhi nahi he ,fir ye bhi zaroori he k ILM v Zikr me ye mashguliyat is Raaste ke apne bado se talluq rakhte hue aur unki hidayat v nigrani me ho ,

★. Ambiya Alaihissalam ka ILM v Zikr Allah Ta'ala ke zere hidayat tha aur Sahaba Kiraam Kï Huzoor Sallallahu Alaihivasallam poori poori nigrani farmate the,

★• Isliye har zamane Ke logo ne Apne bado se ilm v Zikr liya aur unki nigrani aur rehnumayi me poori tarah seekha ,Ese hi Aaj bhi hum apne Bado Kï nigrani ke mohtaaj he'n ,Varna Shaitan ke jaal me fans Jane ka bada dar he ,


------- Baqi hidayaat agle part me, 

★• 🔜 266, in sha Allah ta'ala, 
 ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✍ Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)

📃 Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.

☞ Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He, 
                          
              ⚀ Talib e Dua, 
             ⊙   Haqq Ka Daayi, 
     ━═─────────────────═━

Post a Comment

 
Top