0

    ▁▁▁▂▂▂▃▃▄▄⚀▄▄▃▃▂▂▂▁▁▁
     вɪѕмɪʟʟαнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнɪм
              ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔                                                          ♛TABLIG●RAAHE●NIJAAT●HE♛
                    
  ─┄┅━═══  ✦═══━┅┄─

                    PART-266
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Jo Allah Kï Madad v Rehmat Kï Ummeed na Rakhe Gunahgar he ,
↬• Dosto Hamara ye Kaam ( Islahi v Tabligi Koshish ) ek tarah ka taskheer ka Amal he ,( Yani Jo koi is kaam me lagega aur usko apni DHUN bana legal Allah Ta'ala uske kaam banata rahega ),
★• Agar Tum Allah ke kaam me lagoge to zameen v Asmaan aur Fizahawae'n tumhare kaam anjaam dengi ,
★• Tum Allah ke Deen ke liye ghar aur karobaar chhor kar nikle the ab Aankho se dekh Lena k Tumhare karobaar me kitni barkat hoti he ,Allah Kï Madad karke Jo uski Madad v Rehmat Kï Ummeed na rakhe Wo gunahgar aur be naseeb he ,( Akhri Jumla Aapne ese andaz aur itne josh me kaha k Majlis me haazir rehne walo ke Dil hil gaye ),
★ • Hamare is kaamsahi tarteeb to yahi he k Pehle qareeb qareeb jaya jaye aur Apne mahol me kaam karte hue aage bada jaye ,lekin kabhi kabhi Kaam karne walo me PAKKA iraada aur kaampukhtgi paida karne ke liye Shuru me door door bhej diya jata he ,in lambe safaro se PAKKA iraada aur kaam ka ishq paida hoga ,
★. Hamare is kaam me felaav se Zyada Rusookh ( pahunch ) aham he ,lekin is kaam ka Tareeqa esa he k rusookh ke saath hi felaav bhi hota jayega ,
★• Kyuki Rusookh bager iske paida hi nahi hoga k is Dawat ko le kar Shehro Shehro aur Mulko Mulko fira jaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  267., in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-267
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Ek Niyaazmand se Ek Din Farmaya ,( Jinko Tablig ke alawa Kitaabe aur Majmoon vagera likhna unka khaas kaam tha ),
↬• Mai ab tak isko pasand nahi karta tha k is Tabligi kaam ke silsile me Kuchh Zyada likha padha jaye aur Tehreer ke zariye iski Dawat Dï jaye balki mai isko mana karta raha ,LEKIN AB Mai kehta hu k likha jaye aur Tum bhi khoob likho ,
★• Magar fala fala kaam karne walo ko meri ye baat pahuncha kar unki Raay bhi le lo ,( Chunache un naamzad HAZRAAT ko Hazrat Kï ye baat pahuncha kar mashwara talab kiya gaya ,un Hazraat ne apni ye Raay Zaahir Kï k is bare me ab tak Jo Tareeqa raha he wahi ab bhi rahe ,Hamare nazdeek yahi behtar he ),
★• Pehle hum bilkul Kasm-pursihaalat me the koi hamari baat sunta nahi tha aur Kisisamajh me hamari baat aati nahi thi ,Us waqt yahi zaroori tha k hum Khud hi Chal fir kar logo me Talab paida kare aur Amal se apni baat samjhaye ,
★ • Us waqt agar Tehreer ke zariye aam Dawat Dï jati to log kuchh ka kuchh samajhte Aur apne samajhne ke mutabiq hi raay qaayam karte aur agar baat kuchh Dil ko lagti to Apni samajh ke mutabiq kuchh sidhi kuchh ulti uske kaamshakl banate aur fir Jab natije galat nikalte to ( Dawat ko ) galat kehte ,
★. Isliye hum ye behtar nahi samajhte k Logo ke paas Tehreer ke zariye Dawat pahunche ,Lekin Allah ke Fazal v Karam aur uski Madad se ab halaat badal chuke he'n, Hamari bahut si Jama'ate Mulk ke Charo taraf nikal kar kaam ka Tareeqa dikhla chuki he aur ab log Kaam ke taalib ban kar khud hamare paas aate he'n,
★• Aur Allah Ta'ala ne hume itne Aadmi de diye he'n k agar alag alag simto me talab ( maang ) paida ho aur kaam sikhane ke liye Jama'atozarurat ho to Jama'ate bheji ja sakti he'n ,
* __To ab in halaat me bhi Kas-m-pursi wale shuru zamane hi ke kaam ke tareeqe ke har har hisse per Jame rehna theek nahi ,isliye mai kehta hu'n k Tehreer ke Zariye bhi Dawat deni chahiye,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  268 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-268
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Apne Bado se Kaam Qadar ke  Saath lo  ,
↬• Ab ye kehna chhor do k Teen Din do ya Paanch Din do ya Saat din do ,Bas ye kaho k Raasta ye he ,Jo jitna karega Utna payega ,iski koi Had nahi Koi sira nahi he ,
★• Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ka Kaam Sab Nabiyo se aage he aur Hazrat Abu Bakar Raziyallahu Anhuek Raat aur ek Din ke kaam ko Hazrat Umar Raziyallahu Anhu nahi pa sake ,fir iski Had hi kya he ,Yeh to Sonekhaan he Jitna khodoge utna niklega ,
★• Jazbaat aur Dil ka rukh badle bager Zindgi ke kaam badalwanekoshish galat he ,Sahi Tareeqa ye he k logo ke Dilo ko Allah Kï taraf fer do , fir unki poori Zindgi Allah ke Hukmo ke maathat ho jayegi ,Laa ilaaha illallaah ka yahi maqsad he aur hamari mehnatyahi Buniyad he ,
★ • Logo se Deen per Amal karane ke liye pehle unme haqeeqi imaan ,Akhiratfikr aur Deenqadar paida karo ,
★. Allah ka ina'am bahut he magar uske yaha gairat bhi he ,Wo naqadro ko nahi deta ,
★• Tum bhi apne Bado se Deen ko qadar ke saath lo aur is gadar ka taqaza ye bhi he k unko apna bahut bada Mohsin samjho aur poori tarah unki tazeem karo ,Yahi mansha he us Hadees ka jisme farmaya gaya he k Jisne Apne mohsin ka Shukr ada na kiya usne Allah ka bhi Shukr ada nahi kiya ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  269 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-269
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Miskeen GareeboQadar karo,
↬• is silsile ka ek usool ye he k Azaad Ravi aur Khud Raay ( manmarzi ) na ho ,balki apne ko un Bado ke mashwaro ka paband rakho jin per Deen ke bare me un Akabir mahoomeen ne bharosa Zahir kiya ,Jinka Allah ke saath khaas talluq jaana aur maana raha he ,
★• Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ke baad Sahaba Kiraam Raziyallahu Anhum ka paimana yahi tha k unhi Akabir per Zyada Bharosa karte the jin per Huzoor Sallallahu Alaihivasallam khaas bharosa farmate the,
★• Aur fir Baad me Wo HAZRAAT Zyada bharose ke qabil samjhe gaye jin per Hazrat Abu Bakar aur Hazrat Umar Raziyallahu Anhum ne bharosa farmaya tha ,Deen me bharose ke liye bahut tayaqquz ( hoshiyari aur bedaari ) ke saath intikhaab ( chunaav ) zaroori he ,varna Badi gumrahiyo ka bhi khatra he ,
★ • Aam tor per kaam karne wale log Bade Aadmiyo aur numaya hastiyo'n ke pichhe lagte he'n aur Allah ke gareeb aur khasta haal Bande agar khud bhi aa jaye to unki taraf mutavajjah nahi hote ,Ye maddiyat he ,
★. Khoob samajh lo ,Jo khud ba khud tumhare paas aa gaya Wo Allah ka diya hua aur uska bheja hua he aur Jiske pichhe lag kar tum use laye Wo tumhari kamaai he ,
★• Jo Allah Kï Khaalis Ata ho uski qadar Apni kamaai se Zyada honi chahiye, Zara socho to  Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne Duathi ,ey Allah mujhe miskeenHAALAT me zinda rakh aur miskeeni hi Kï haalat me mujhe maut de aur Qayamat ke roz gareeboJama'at me mujhe uthaa,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  270 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-270
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Aurto'n Se Khitaab ,
↬• Hazrat Gangohi Navvrallahu Marqadhu ke nawase Hazrat Hafiz Mohammed Yaqoob Sahab Gangohi Apne gharaneAurto'n ke saath HazratZiyarat v ayadat ke liye tashreef laye ,Hazrat ne Parde ke pichhe unko Khitab karte hue farmaya,( Mukhtasar Jumlo me likha he )
★• Mujhe Deenniyamat Aap hi ke gharane se mili he ,Mai Aapke ghar ka gulaam hu'n ,Gulam ke paas agar koi cheez aa jaye to use chahiye k Tohfe me apne Maalik ke saamne pesh kar de ,Mujh Gulam ke paas Aap hi ke ghar se haasil kiya hua " Vurasate Nabuwat " ka Tohfa he ,iske Siva aur isse behtar mere paas koi saugaat nahi he jisse mai pesh kar saku ,
★• Deen kya he ? Har moqe per Allah ke Hukmo ko talash karte hue aur unka dhyan karte hue aur apne NAFS ke taqazomilawat se bachte hue unko poora karne me lage rehna ,aur Allah ke Hukmotalash aur dhyan ke bager KAAMO me lagna hi Duniya he ,
★ • Mai Aurto'n se kehta hu'n k Deeni kaam me tum apne ghar walomadadgaar ban jao ,unhe itminan ke saath Deen ke KAAMO me lagne ka moqa de do aur gharelu KAAMO ka unka bojh halka kar do ,Taki woh be fikr hokar Deen ka kaam kare ,agar Aurte'n ESA nahi karengi to " Hibalatus Shaitan " ho jayengi ,( Yani Shaitaan ka Jaal v Fanda ),
★. DeenHaqeeqat he Jazbaat ko Allah ke Hukmo ka paband karna ,Sirf Deeni Masail ke jaanne ka naam Deen nahi he ,Yahudi Ulma Deenbaate aur Shariyat ke  bahut jaante the lekin apne jazbaat ko unhone Allah ke Hukmo ka paband nahi kiya tha ,isliye magzoob aur mardood ho gaye ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  271 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-271
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..Allah ke DeenMadad Karo ,
↬• Isi Baatcheet ke dauran Hazrat se Kisi khaas maamle me Duadarkhwastgayi to farmaya ,___
★• Jo koi Allah ka taqwa Akhtyar kare yani jazbaat ko Allah ke Hukmo ke taabe kar de to fir Allah Ta'ala uski tamaam mushkile gaib ke parde se Hal karte he'n aur ese tareeqo se uski madad karte he'n k khud use waham v gumaan bhi Nahi hota ,
★• Allah Kï khaas madad hasil karneyaqeeni aur shartiya tarteeb ye he k uske Deenmadad Kï jaye ,
★ • " in tansurullaha Yansurukum ," Agar tum Allah ke deenmadad karo to halaak karne wali cheeze tumhare liye Zindgi aur Araam ka samaan ban jaye ,Hazrat Ibrahim Alaihissalam ne Ji jaan se Allah ke Deenmadad Kï to Allah ne Aag ko gulzaar bana diya ,ESE hi Hazrat Moosa Alaihissalam aur unki Qaum ko us dariya ne jiski khasiyat dubona he salaamti ke saath saahil tak pahuncha diya ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  272 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
                    PART-272
✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦✧✦
❈…… ..2 Jamadilula 1363 ( 25-04-1944) Hijri ,Devband Ke TalbaJama'at ko khitaab ,
↬• Apne Tamaam Ustaadoizzat aur un sabka adab v ahatraam aapka khaas aur bada farz he ,Aapko unki esi izzat karni chahiye jeseDeen ke imaamo Kï Kï jati he ,
★•Woh Aap logo ke liye Nabvi ILM ke haasil karne ka zariya he'n ,Agar unke darmiyan kuchh niza'ata ( Jhagde ) bhi ho tab bhi Adab v izzat ka talluq sabke saath barabar rehna chahiye, Chahe Muhabbat v aqeedat kisi ke saath kam aur kisi ke saath Zyada ho lekin tazeem me fark na aana chahiye aur Dil me unki taraf se buraai na aana chahiye,
★• Quran Majeed ne to har Momin ka yeh Haq bataya he k Unki taraf se apne Dilo ko saaf rehne Kï Allah Ta'ala se Duajaya kare ,
★• Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam farmaya karte the ,Tumme se koi mujhe ek doosrena pahunchaya kare ,mai chahta hu'n k mai jab tumhare paas aau'n to mera Seena sabki taraf se saaf ho ,
★ • in cheezo ka ajr ( yani chhote bado ke Huqooqri'ayat ) Arkaan se kam nahi he balki Zyada hi he , unke Huqooqadaygi ka maamla bahut aham he aur fir is darje me ilme Deen ke Ustaado ke Huqooq ka maamla Zyada najuk he ,
★. To in Talbao'n ko mera ye paigaam pahunchao k Apni Zindgi ke is pehlu ki islaahkhaas tor per fikr kare ,
------- Baqi hidayaat agle part me,
★•  273 , in sha Allah ta'ala,
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
Hazrat Maulana Manjoor Nomani Reh.( Malfoozaat Maulana ilyaas Reh.)
Malfuzaat Maulana Ilyaas Reh.
☞ Allah  Ke  Paigam  ko  Duniya  tak  Pahunchana  aur  Apne  Per  Mehnat  Karna  Hamare  Faraiz  me  Shamil  He,
                         
              ⚀ Talib e Dua,
             ⊙   Haqq Ka Daayi,
  ━═─────────────────═━

Post a Comment

 
Top