▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦
▦══─────────────══▦
⊙ VAZU ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Bager Niyat Nahane Se Vazu,
ⓢ. Bager kisi niyat ke Yun
hi naha liya jaye ya Samandar me tair liya jaye to kya vazu khud ba khud ho jaega?
Agar ho jaega to kya sar ka Masaha bhi ho Jaega??
hi naha liya jaye ya Samandar me tair liya jaye to kya vazu khud ba khud ho jaega?
Agar ho jaega to kya sar ka Masaha bhi ho Jaega??
★• Vazu ma’a Masaha sahi ho jaega, Albatta badune Niyat ke sawab nahi milega,
Ahsanul Fatawa,JILD-2, Safa 9
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Aurto'n ke Liye Miswaak Ka Hukm,
ⓢ Kya Namaz se Pehle Vazu me Miswaak karna Aurto'n ke liye bhi usi tarah Sunnat he Jese Mardo'n ke liye he ?
★• Miswaak Khwateen ke liye bhi Sunnat he ,
★• Lekin agar masoode Miswaak ko bardasht na kar sake to unke liye Dandaasa ( brush ,Datoon ya Ungli ka istemal) ka istemal Miswaak ke qaayam maqaam he ,Jabki Miswaak Kï NIYAT se istemal kare ,
Aapke Masail aur Unka Hal ,2/34
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Cream Powder Ya Surkhi Laga kar Vazu Karna,
ⓢ Cream Powder ya Surkhi Lagana kesa he ,Kyuki isse Nakhoon Polish Kï tarah qabahat nahi k Vazu ka paani na jaye ?
★• inme agar koi napaak cheez mili hui na ho to koi harj nahi ,Magar Nakhoon Polish Kï tarah Surkhi Kï Tah jam jati he ,isliye iska utaarna zaroori he ,
Aapke Masail aur Unka Hal ,2/42
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Nakhoon Me Mail hone Per Vazu ka Hukm,
ⓢ Kaam karne ke dauran Nakhoon me Mail chala jata he, Agar hum mail saaf Kiye bager Vazu Kare to Vazu Hoga ya nahi?
★• Vazu ho jayega magar Nakhoon badana khilafe fitrat he,
Aapke Masail aur unka Hal, JILD-2, Safa no, 42
•─━━━━━══════━━━━━─•
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Vazu Ke dauran Aurat ka Sar nanga Rehna ,
ⓢ Kya Vazu karte waqt Aurat ka sar per dupatta rakhna zaroori he??
★• Aurat ko ba-qadre isteta’at sar nanga nahi karna chahiye, magar vazu ho jayega,
Aapke masail aur unka Hal,, 2/ 43
•─━━━━━══════━━━━━─•
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Masnui Daant ( Naqli Daant ) Ke saath Vazu ,
ⓢ Masnui Daant laga kar vazu ho jata he ya inka nikaalna zaroori he??
★• Nikaalne ki zaroorat nahi, inke saath Vazu durust he,
Aapke masail aur unka Hal,,, 2/43
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Muthaza ke Liye Vazu Ka Hukm ,
ⓢ Isthaza ( jaari khoon) wali Aurat kya har Farz Namaz ke liye Vazu kare?
★• Isthaza wali aurat har farz namaz ke liye naya vazu kare aur jab tak us namaz ka waqt rahe uaka vazu Baqi rahega, ba-sharte k Vazu ko todne wali aur koi cheez pesh na aaye aur us vazu se us Farz namaz ke waqt me jis qadar chahe Farz, wajib, Sunnat, Nifl namaze aur qaza namaze padh sakti hai’n,
Masaile Gusl,, 41
•─━━━━━══════━━━━━─•
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Plaster Per Masaha Ka Hukm,
ⓢ Kisi ke funsi ya zakhm per plaster chada hua he agar wo gusl ya vazu ke waqt usko kholkar dhoye to kuchh nuqsaan nahi albatta Jo Dawai( medicine) lagayi hui he plaster ko hatane se wo baaqi nahi rahegi, Lihaza wo dawa marz ke liye mufeed sabit na hogi ya ye k fir plaster ( Patti) nahi mile ya mehnga mile to kya is soorat me plaster ko hataa kar us uzv ka dhona zaroori he ya nahi??
★• Agar plaster kholna zakhm ke liye muzar ho to plaster khol kar us uzv ka dhona zaroori nahi balki plaster per Masaha karna kaafi he, aur ye plaster Patti ke hukm me he, aur agar kholna muzar nahi magar plaster dobara milega nahi ya mehnga milega ya mehnga to nahi magar tangdasti ki vajah se doosra kharid nahi sakte to bhi masaha jaa’iz he,
Ahsanul Fatawa, 2/64
•─━━━━━══════━━━━━─•
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Sar per Baandhe hue Rumaal Per Masah Karna ,
ⓢ Baaz Khawateen haalate Ahraam me sar per rumaal baandhti hai’n aur vazu ke waqt rumaal nahi utaarti balki rumaal per hi Masaha kar leti hai’n, kya ye durust he??
★• Esi Khwateen ka vazu nahi hota, Lihaza vazu ke waqt rumaal sar se khol kar sar per Masaha karna zaroori he,
Khwateen ka Hajj,, 29
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Faaya( Sunni Plast) per Masaha karna,
ⓢ Chehre per Funsi ya zakhm he us per angrezi faaya ( Sunni plast) laga hua he, usko hatakar vazu kare’n ya faaya ke ouper paani bahale’n??
★• Agar zakhm ko nuqsaan pahunchta he, ya faaya hatane me takleef ho to faaya hatae bager uske ouper masaha kare’n,
Ahsanul Fatawa,, 2/64
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Daant se khoon Nikalne Per Vazu ka Hukm ,
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Daant se khoon Nikalne Per Vazu ka Hukm ,
ⓢ Agar daant ( teeth) se khoon nikalta ho aur vazu bhi ho to kya vazu toot jaega??
★• Agar isse khoon ka jaaeqa aane lage ya thook ka rang surkhi maa’il ho jaye to vazu toot jata he, varna nahi,
Aapke masail aur unka Hal,, 2/37
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Nakseer Se Vazu Ka Hukm ,
☞ Nakseer Se Vazu Ka Hukm ,
ⓢ. Namaz padte hue nakseer agar nikal aaye to Namaz chhodne ki ijazat hoti he ya nahi??
★• Nakseer se Vazu toot jata he, isliye vazu karke dobara namaz pade’n
Aapke masail aur unka Hal,, 2/38
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Chhati ( chest ) se Paani Ya Doodh nikalne ka Hukm,
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Chhati ( chest ) se Paani Ya Doodh nikalne ka Hukm,
ⓢ Agar chhati se paani ya doodh nikle to usse vazu toot jata he ya nahi??
★• Agar chhati se paani nikalta he aur dard bhi hota he to woh bhi najis ( napaak ) he, isse vazu jata rahega, aur agar dard nahi he to najis nahi he aur vazu na tootega
★• isi tarah agar doodh aurat ki chhati se nikle to bhi vazu nahi tootega
Fatawa Darul Uloom Deoband,, 1/126
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ Nakhoon per sookhe hue aate ke saath Vazu ka hukm ,
ⓢ Kisi ke nakhoon me aata lag kar sookh gaya, us per Vazu kare to kya ye vazu durust he??
★• Agar kisi ke nakhoon me aata lag kar sookh gaya aur uske niche paani nahi pahuncha to vazu nahi hua,
★• jab yaad aaye aata dekhe to chhuda kar paani daal de aur agar paani pahunchne se pehle koi namaz pad li ho to usko lauta de aur fir se pade,
Bahishti Zever,, 1/40
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ - Musthaza ke Vazu tootne ka Hukm,
☞ - Musthaza ke Vazu tootne ka Hukm,
ⓢ Musthaza Aurat jiska khoon Jaari ho, uska vazu kab toot ta he??
★• Musthaza Aurat ka vazu waqt ke andar andar per qaraar rehta he, basharte k Vazu todne wali koi aur cheez pesh na aaye, lekin jab waqt chala jaye aur doosri namaz ka waqt aa jaye to ab naye sire se Vazu karna chahiye,
*_ Haiz me 3 din Se kam aur 10 Din Se Zyada aur Nifaas me 40 Din se Zyada aane wale Khoon ko istahaza kehte he'n aur Khoon aane wali Aurat ko Mustahaza kehhte he'n ,
Masa’ile Gusl,, 42
•─━━━━━══════━━━━━─•
☞ - Silaane Raham ( lekuria) ka Hukm,
ⓢ Aurat ko bimari ki vajah se aage ki raah se paani ki tarah safed ratubat aati he, ise silaane raham( lekuria) kehte hai’n,, iska kya hukm he??
★• Yeh paani aur ratubat napaak hoti he, isse vazu toot jaega aur agar kapde jism per lag jaye to woh bhi napaak ho jata he,
Makhooz Az Shaami, 1/ 313
•─━━━━━══════━━━━━─•
━═─────────────────═━
★☆★
━═─────────────────═━
★☆★
Post a Comment