0

      ▁▁▁▁▁▂▂▃▃▄▄︻▄▄▃▃▂▂▁▁▁▁▁
βίşмίĻĻάhίʀʀάhмάήίʀʀάhέέм
      ▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔▔
✦KHWATEEN KE FIQHI MASAIL✦
                  PART— 01
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
               ⊙  AQAAID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞  Zaruriyate Deen Aur Fitrate Deen  kya he??
★ Zaruriyate deen un cheejo ko kehte hai jinka Hujoor sallallahu Alaihivasallam ke deen se hona qatai or yaqeeni ho or had tawatar Shohrate aam tak pahunch chuka ho,
→ Hattaki Awam bhi jaante ho k ye cheeje Nabi S A ke deen se hai,
→ Jese: – Toheed, Risalat, Khatme nabuwat, Hayaat, Ba’adal maut, Saza or Jaza, Namaz, Roza, hajj, zakaat ki farziyat, Sharab or Sood ki hurmat, etc,
ⓢ Fitrate Deen kya he??
★ Insaan me pedaisi salahiyat or ahliyat k wo bager kisi mahol ke asar ke deen islam ki cheejo ko qubool kar le,
Khwateen ke Fiqhi Masayal,,,Safa no, 42
    •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 02
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
               ⊙  AQAAID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞   Aurte'n Apne khawind ke janaze per chudiya'n todti hai,  Kya ye shariyat ka hukm he,??
★• Chudiya'n  tod kar zaaya karna galat baat he, Shariyat ka  Koi hukm nahi he,  Utaar kar rakh Lena chahiye,  jab iddat khatm ho jaye fir pehan le,
 Khwateen ke Fiqhi Masa'il,,,Safa no, 43
,
      •─━━━━━══════━━━━━─•
  ✦
                  PART— 03
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                 ⊙  AQAAID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞  Doodh ka Bakhshna,
ⓢ Rivaaj he k kamsin doodh pite bachche ki wafaat per masoom bachche ko maa'n  doodh bakhshti he, iski asal kya he?
ⓢ or shara'i haqeekat kya he??
★• Doodh ka Bakhshna be asal he,  koi shariyat nahi,
 Khwateen ke Fiqhi Masayal,,,Safa no, 43
      •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 04
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAAID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Shohar ko Banda Kehna,
ⓢ Kya shohar ko Banda kehna shirk he?
→( BaaZ maqamaat per shohar ko Banda kaha jata he)
★•  is Muhaavre me Banda se muraad Shohar hota he, isliye ye shirk nahi he,
     ※ Wallahu Aalam ※
  
 Khwateen ke Fiqhi Masa'il,,,Safa no, 43
•─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 05
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                 ⊙  AQAAID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Nek Mard ko Hoore'n To  Nek Aurat Ko Jannat me Kya?
ⓢ Jab koi Nek Mard inteqal karta he to use jannat me 70 hoore'n  khidmat ke liye di jayegi, lekin jab koi Aurat inteqal karti he to usko kya diya jayega???
★• Wo Apne jannati Shohar ke saath rahegi Aur jannat ki hooro'n  ki Sardaar hogi,
⇨• Jannat me sabki umar aur Qad barabar hoga aur Badan har aib se paak hoga,
★• Aur jin khawateen ka pehla Nikaah nahi hua unka jannat me kisi se Nikaah kar diya jayega, Baharhal Duniya ki jannati Aurat ka darja jannat ki hooro'n  se bada hoga,
 Khawateen ke Fiqhi Masa'il,,,
Safa no. 44
      •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 06
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                 ⊙  AQAAID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞  Aurat Apne Sar Ke Baalo ka Kya kare ,
ⓢ Aurat jab sar me kanghi karti he to aurte apne gire hue baalo ka kya kare???
★•  Aurat ke sar ke Baal bhi satar me dakhil he aur Jo Baal kanghi me aa jate hai unka dekhna bhi na -mehram ke liye jaa'iz nahi,
→ isliye Baalo ko fenkna nahi chahiye balki kisi jagah mitti me daba dena chahiye,
 Khawateen ke Fiqhi Masa'il,,, Safa no. 44
      •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 07
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                 ⊙  AQAAID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞  Aurto'n Ka Namaze Zuhar Juma ke Pehle Na  Padhne Ka Aqeeda  ,
ⓢ Awam me mashoor he k jab tak Juma ki Namaz Masjid me khatm na ho jaye, masturaat ( female) Gharo me Zuhar ki Namaz na padhe, iski shar’an kya asal he??
★•   iski koi Asal nahi he balki galat he, Masturaat Namaze Juma se Pehle ( jab waqt ho jaye) zuhar padh sakti hai,
★• Aurto'n ka Avval waqt me Namaz Ada karna Afzal he,
 Ahsanul Fatawa ,4/138
      •─━━━━━══════━━━━━─•
  ✦
                  PART— 08
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                 ⊙  AQAAID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Shohar ke Marne ke Baad Bivi ko Bad Bakht samajhna,
ⓢ Logo ka khayaal he k esi Aurte'n Jo Apne khawind ke inteqal ke baad zinda rehti hai, wo badbakht he, aur Jo Aurat Apne khawind ke pehle inteqal kar jati hai wo khush naseeb hai,???
★•  Khush bakhti aur bad bakhti ka daromadaar to Aadmi ke Apne achchhe aur bure Amaal per he,  Pehle ya Baad me marne per nahi,
 Aapke Masail aur Unka Hal ,1/182
      •─━━━━━══════━━━━━─•
   ✦
                  PART— 09
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Khatm Ke Baad Khana Khilana ,
ⓢ Aksar log Aurto'n aur Mardo ko jama kar ke ek ek para Qurane majeed ka har shakhs ko de kar padwate hai,  ya Madarso ke Bachcho ko bula kar Quran majeed padwate hai ( aur khatm ke baad mithai ( sweets) vagera takseem karte hai,) aur Marhoom rishtedaro ko sawab pahunchate hai:,
ⓢ  Kya esa karna sahi he ya nahi he??
ⓢ Kya Padhne padhane ke baad BachCho ko khana khila sakte hai,? Ya nahi?
★•  Qurane Kareem padhkar uska sawab marhoomo ko pahunchana mufeed he lekin iske liye ye soorat akhtyar karna k logo ko jama kiya jaye kahi se saabit nahi he,
★•  Aur Jo ( Mithai ( sweets) vagera takseem ki jati he ya) khana khilaya jata he, ye padhne aur khatm karne ki ujrat me aata he Jo k shar’an jaa'iz nahi,
*_Fatawa Bazaziya aur Durre Mukhtar me isko Bid’at aur Makrooh likha he,
*_Qurane Kareem ko ujrat ke tahat padhne se sawab nahi hota balki Gunaah he,
     * Wallahu Aalam *
 Fatawa Mehmudiya ,15/22
    •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 10
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Yaseen  Sharif Ka Khatm Padhwana,
ⓢ Bahut si Aurte'n apni Zaroorato ko poori karne aur pareshaniyo ko door karne ke liye ” Yaseen  sharif " 41 ya 71 baar padhkar uska sawab Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ko aur Sabko pahunchakar Apne waaste DUA kar leti hai, ye Tareeqa jaa'iz he ya nahi??
★•   Surah ” Yaseen  Sharif " 41 ya 71 baar padhkar DUA karne ka Amal agar tajurbe se mufeed saabit ho aur usse masa'ib door ho jate ho to durust he,
*__  Lekin padhne padhane walo ka kuch Lena Dena ujrat me shamil he, isliye isse parhez kare,
★•   Masaa'ib door karne ke liye asal amal huqooqul ibaad ka Ada karna aur gunaho se parhez karna, aur sunnato Kï pervi karna he,
  Fatawa Mehmudiya,  Jild -15, Safa 22
      •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 11
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Aurto'n ke Haath Per Bait !
ⓢ Aurto ke haath per Bait jaa'iz he ya nahi??
★•  Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ki Ajwaaz Mutahiraat Raziyallahu anhum ke haath per kisi ne Bait nahi ki,
*_ Khulfa e Rashideen Raziyallahu Anhum  aur baad ke Aqabireen, Ahlullah ke yaha bhi dastoor nahi milta he,
*__isliye Aurat ko peer bana kar uske haath per bait na ki jaye,
 Fatawa Mehmudiya ,15/97
        •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 12
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Aurat Ka Shohar ke Payr Chhoona ,
ⓢ Aurat kya tazeem ke liye Shohar ke payr chhoo sakti he??
★•  Tazeem ke liye Shohar ke payr chhoona Qurane Paak ki kisi aayat aur Hadees Sharif ki kisi rivayat me nahi dekha,
*_Ye islami taleem nahi, Gairo ( Hindu ) ka Tareeqa he,
 Fatawa Mehmudiya, 15/353
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 13
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Beva Ko iddat ke Baad Zever Pehanna ,
ⓢ Beva Aurat ka  kaanch ki chudi aur chaandi sone ki chudi pehanna kesa he,?
ⓢ  Aurto'n ko chandi sone ke zever ke alawa digar cheezo ke zever pehanna kesa he??
★•  Beva ko iddat ke baad zever, kaanch ki chudi vagera pehanna durust he,
** _  Jis Zever me kuffar aur faasik ki musabhat na ho Aurto'n ke liye sab durust he,
 Fatawa Mehmudiya, 15/22
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 14
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Istkhara Karna aur Faal Khulwana,
ⓢ kya istkhara karna kisi bhi kaam ke karne se pehle aur Faal khulwana sharai nukte se durust he??
★•   Sunnat tareeqe ke mutabiq istkhara to masnoon he, hadees me iski tarteeb aayi he ,
★•  Aur Faal khulwana Na-jaa'iz he,
 Aapke Masail aur Unka Hal ,1/323
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
  ✦
                  PART— 15
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Nazre Bad se Hifazat ke liye Bachcho ko Kaala Dhaga Baandhna ,ya Tika Lagana,
ⓢ  Bachcho ki pedaish per maae'n ( mothers) Apne BachCho ko nazre bad se bachane ke liye uske gale ya haath ki kalaai me kaale rang ki dori baandh deti he,
ya Bachhe ke sar per ya seene per kajal ka tika ( nishan) laga diya jata he taki Bachhe ko buri nazar na lage, kya fail durust he???
★•  Ye mahaz toham parasti he
 Khwateen  ke Fiqhi Masail ,48
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 16
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Asar V Magrib ke Darmiyan Murde ka Khana ,
ⓢ Kya asar ki namaz se magrib ki namaz ke dauran khana nahi khana chahiye, ? kyuki maine suna he is waqt murde khana khate hai???
★•   Asar magrib ke darmiyan khana peena jaa'iz he, aur us waqt murdo ka khana khana Jo aapne likha he fizool baat he,
 Aapke Masail aur Unka Hal ,1/373
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 17
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Musalle Ka Kona Palatna ,
ⓢ  Shaitan Musalmano ko ibadat se rokne ke liye  waswaso ke zariye behkata he, aur khud ibadat karta he,
usko ibadat se rokne ke liye hum Namaz ke baad Janamaz ka kona ulat dete hai,
ⓢ is tarah ke amal ke bare me kya khayal he??
★• is sawal me aapko 2 galat fehmiya'n hui he,
→1- ek ye k Shaitan doosro ko ibadat se rokta he magar khud ibadat karta he, Shaitan ka ibadat karna galat he, ibadat to hukme ilaahi ko Baja lane ka naam he, jabki Shaitan hukme ilaahi ka sabse bada nafarman he, isliye ye khayal k Shaitan ibadat karta he bilkul galat he,
→ 2- Doosri galti ye he k musalle ka kona ulatne ka rivaaj to isliye he k namaz se faarig hone ke baad bila Zaurat janamaz bichhi na rahe aur wo kharaab na ho, Aam log ye samajhte hai k agar janamaz na ulta jaye to Shaitan namaz padhta he ye bilkul be-mahal aur layani baat he,
 Aapke Masail aur Unka Hal ,1/374
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 18
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Mangal, Juma ko Kapde Dhona, Aur Putliyo ka fadakna,Billi ka Raasta kaatna,
ⓢ Aksar log kehte hai k Juma aur Mangal ko kapde nahi dhona chahiye, esa karne se Rizq( Aamdani) me kami waqai hoti he????
★• Bilkul galat toham parasti he,
 Khwateen ke Fiqhi masail,
Safa no, 47
ⓢ 1-BuZurgo se suna he k agar kaata hua nakhoon kisi ke pair ke niche aa jaye to wo us shakhs ka ( jiska nakhoon he)  dushman ban jata he???
2- Kya Aankh ki putliyo ka fadakna kisi khushi ya gami ka sabab banta he,??
3- Agar kaali billi raasta kaat jaye to kya aage Jana kisi khatre ka baa'is ban jayega???
★• Ye teeno baate mahaj toham parasti he, Shariyat me,
 Aapke Masail aur Unka Hal ,1/376
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 19
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                 ⊙  AQAA'ID ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Bad Shaguni Ka Tasavvur,
ⓢ Aam khayal ye he k Doodh vagera gir jaye ya fir taak adad yani 3,5,7 vagera ya fir isi tarah Dino me mangal, budh, hafta vagera aate he, unhe munasib nahi  samjha jata he, aam zaban me Bad Shaguni kaha jata he, to kya Quran or Hadees ki roshni  me Badshaguni ki kya haisiyat he,??
★• Islam me Nahusat aur Badshaguni ka koi tasavvur nahi, ye mahaz toham parasti he, Hadees Sharif me Badshaguni ke aqeede ki majammat farmayi gayi he,
★• Sabse badi Badshaguni insaan ki bad Amaaliya he or fisq v fijoor he, Jo aaj mukhtalif tareeqo se ghar ghar me ho raha he,, illa masha Allah,, ye Bad- Amaaliya or na-farmaniya khuda ke qahar aur laanat ki mojib he, isse bachna chahiye,
 Aapke masail or unka Hal, 1/358
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 20
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                 ⊙  AQAA'ID ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Chand Mahino ko Manhoos Samajhna,
ⓢ Moharram, Safar aur Shaban me chuki Shahadate Husen R. A. Aur iske alawa bade saanhaat hue hai, inke andar Shadi karna namunasib he, isliye Shadi ek khushi ka sabab he aur in saanhaat ka gam tamaam musalmano ke dilo me hota he,
ⓢ• Aur Mushahidaat se bhi saabit he k in Mahino me ki Jane wali Shadiya'n  kisi na kisi sabab se ranjo gam ka baa'is ban jati he, isme kisi Aqeede ka kya sawal he??
ⓢ•Kya maahe safar manhoos hota he??
★• in mahino me Shadi na karna is Aqeede per mubni he k ye mahina manhoos he, islam is nazariye ka qaa'il nahi,
★• Muharram me Imam Husen R. A. ki shahadat hui magar isse ye laazim nahi aata k is Mahine me Aqd Nikaah mamnuo ho gaya, varna har Mahine me kisi na kisi shakhsiyat ka visaal hua he Jo imam Husen R. A. se bhi  buzurgtar the, isse ye laazim aayega k saal ke 12 Mahino me se kisi bhi Mahine me Nikaah na kiya jaye, Fir Shahadat ke Mahine ko Sog aur Nahusat ka Mahina samajhna bhi galat he,
★• Maahe Safar manhoos nahi, ise to “Safar ul Muzaffar” aur” Safar ul Khair” kaha jata he, yani kaamyabi aur khairo barkat ka mahina,
Aapke masail aur unka Hal,
Jild -1,Safa no, 320
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 21
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                 ⊙  AQAA'ID ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Jumeraat ko Rooho ka Ghar aane ka Aqeeda,
ⓢ Kya har Jumeraat ko ghar ke darwaze per roohe aati he??
ⓢ aur kya marne ke baad 40 din tak roohe ghar aati hai???
★•JUmeraat ko Rooho ka aane ka aqeeda kisi bhi Hadees se saabit nahi iska koi doosra shara'i saboot bhi nahi he,
★• isi tarah Rooho ka 40 din tak gharo me aane ka khayal bhi galat or mangadant baat he,
Aapke masail aur unka Hal,
Jild-1,Safa no, 360
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 22
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                 ⊙  AQAA'ID ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Asar ke Baad Jhadu dena, Chappal ke ouper chappal Ka Aqqeda,
ⓢ Hamare Buzurg kehte hai k –
→1- Asar ki azaan ke baad jhadu nahi dena chahiye,
→2- Jhadu khadi nahi karni chahiye,
→3- Chappal ke ouper Chappal nahi rakhni chahiye,
→4- Charpai per chadar lambai ki taraf se nahi bichhani chahiye,???
★• Ye sari baate shar‘an koi haisiyat nahi rakhte, inki haisiyat Tohan Parasti ki he,
 Aapke Masa'il aur Unka Hal,1/362
              •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 23
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Taveez Ganda Karna !!
ⓢ Taveez ganda karna jaa'iz he ya na-jaa'iz aur iske sharayat kya he??
★•  Kisi ko nuqsaan pahunchane ke liye Jo Taveez kiye jate hai unka hukm wahi he Jo Jaadu Tona ka he, k inka karna or karana Haraam aur kabeera gunah he, balki isse kufr ka andesha he, Albatta Taveez agar kisi jaa'iz maqsad ke liye kiya jaye to jaa'iz he, iski 3 sharte'n hai, –
*_1- Kisi jaa'iz maqsad ke liye ho, na- Jaa'iz maqsad ke liye na ho,
*_ 2- iske alfaz kufr v shirk per mushtamil na ho, yani isme koi gunaah, shirk ki baat na likhi ho or jinka mafhoom maloom na ho to na-jaa'iz he,
*_ 3- inko Mo’assir bizzat na samjha jaye, inki taseer bhi Allah ke hukm ke taabe he,
   ★•   Behatreen Amal ★• 
*_ 1- Behtar ye he k Taveez vagera se doori rakhe aur Duao'n ka ahatmaam kare,
*_( Taveez to un bachcho ke liye hota he Jo duae nahi maang sakte k likhkar unke gale me latka diya jaye, Jo duae maang sakte hai ,Wo apni har pareshani ko duao'n ke zariye hal karaye)
*_ 2- Taveez ke ma'ani ” Panaah Talab karna” he, aur har Musalman Mard, Aurat ke liye Behtreen Taveez har farz Namaz ke baad,
*  Surah Ikhlas ( Qulhuvallah)
* Surah Falaq  , Surah Naas aur Aaytal kursi padhna he,
*_ 3- isi tarah” Manzil ” Jo Qurane Kareem ki Ayaat hai, Nazar, Jaadu, Aaseb vagera se hifazat ka behtreen amal he,
*_ 4- Aur sabse badkar Taveez Sunnat Shari'at ki pabandi he,
*__  Allah Sahi samajh ke saath  Amal ki Tofeek de,
 Aapke Masail aur Unka Hal ,1/350
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 24
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Future Kï Malumaat Hasil karne ke liye Haath dikhana,
ⓢ  Najoomi ya Dast shanas ( Pawmist) ke paas Jana, haath dikhana aur uski baato per yaqeen rakhna kesa he??
★•  Ese logo ke paas Jana gunaah aur unki baato per yaqeen karna kufr he,
★•  Sahih Muslim ki hadees he, Huzoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ne farmaya,
" Jo shakhs kisi najoomi ( Pandit, Dast shanas ) ke paas gaya aur usse koi baat daryaft ki to 40 din tak Namaz qubool nahi hogi, ”
★•  Musnad Ahmad aur Abu Daowd Sharif ki Rivayat he k Huzoor Sallallahu Alaihivasallam  ne 3 Shakhso ke bare me farmaya k ,Muhammad Sallallahu Alaihivasallam  per naajil shuda Deen se bari hai, unme se ek wo bhi  he Jo kisi Kaahin ke paas jaye aur uski baat ki tasdeek kare, ”
*_ Kaahin = future batane wala, najoomi,
 Aapke Masail aur Unka Hal ,1/373
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 25
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Qabro Ko Choomna ,
ⓢ Qabr ka Bosa Dena shar’an jaa'iz he ya Haraam??
★•   Qabr ko Bosa Dena Ba-Niyat ibaadat ya Tazeem Kufr he, aur Bila Niyat ibaadat Bosa Dena gunahe
Kabira he ,
  Ahsanul Fatawa, Jild -1, Safa 32
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 26
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Safar Ke Aakhri Budh ka Aqeeda  ,
ⓢ  Maahe Safar ke Aakhri Budh ko behtreen khana pakana durust he ya nahi??
ⓢ Baaz log kehte hai k Maahe Safar ke Aakhri Budh ko Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ko marj se shifa hui thi, is khushi me khana pakana chahiye, kya ye sahi he??
★•   Ye galat aur mangadant Aqeeda he, isliye na-jaa'iz aur gunaah he,
  Ahsanul Fatawa, JILD-1, Safa no, 360
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 27
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Roza Kushaai Kï Rasm ,
ⓢ Hamari taraf ye rivaaj he k jab Bachche ko pehla roza rakhwate he to aftaar ke waqt uske gale me haar daalte hai, khana paka kar dost, ahbaab, rishtedaro ko khilate hai, ( wo badle me bachhe ko rupiya – paisa ( gift) dete hai, ) Khana masjid me bhi aftaar ke liye bhijwate hai,
ⓢ Kya ese khane ka saboot kisi hadees se sabit he ya nahi??
ⓢ Aur kya ye tareeqa jaa'iz he ya nahi???
★•  is Rasm ka shariyat me koi saboot nahi, isko sawab samajh kar karna Deen me apni taraf se zyadti karne ki vajah se Bid’at aur na-jaa'iz he, balki sawab na samjhate to bhi iska tark laajim he kyuki ye esi Rasm ban chuki he k jiski qabaht ahle ilm per Zaahir he,
 Ahsanul Fatawa, Jild -1, Safa 370
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 28
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Bimari Se Shifa ke liye Bakra Zibah Karna,
ⓢ Bimaar Shakhs ki taraf se Bakra zibah karke gosht faqeero ko taqseem kiya jaye to jaa'iz he ya nahi ?
*ⓢ_k Allah ta’ala sadqa ki vajah se is bimar per Reham kare ya Asaani se jald rooh nikal jaye, iska shar’an kya hukm he???
★•  Aafat  aur Bimaari se hifazat ke liye sadqa aur khairaat ki targeeb aayi he magar awaam ka yaqeen is bare me ye ho gaya he k kisi jaanwar ko zibah karna hi ,zaroori he, Jaan ka badla jaan samajhte hai, Shariyat me iska koi saboot nahi, ye awaam ( people) ki khud banayi hui bid’at he,
★•  Agar koi ye aqeeda na bhi rakhta ho tab bhi, isme chunki is aqeede aur Bid’at ki shakl he, lihaza na-jaa'iz he, Shariyat me Qurbani aur Aqeeqe ke Siva aur kahi bhi jaanwar ko zibah karna saabit nahi, ye galat aqeeda achchhe achchhe Deendar logo me bhi paya jata he, isliye isse bachna Zaroori he,
 Ahsanul Fatawa, Jild -1, Safa 367
                   •─━━━━━══════━━━━━─•
                  PART— 29
            ﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏  
       ▦══─────────────══▦
                  ⊙  AQAA'ID  ⊙
✰══❖═══▩ஜ۩۞۩ஜ▩═══❖══✰
☞ Koondo Kï Haqeeqat,
ⓢ Rajjab ko Koonda karne ki Rasm ka kya hukm he??
Aur Shariyat me iski kya Asal he??
★•  Koondo ki Rasm Dushmanane Sahaba  ne Hazrat Maviya Raziyallahu Anhu ki wafaat per izhare masarrat, khushi ke liye ijaad ki,
★•  22 Rajjab Hazrat Maviya Raziyallahu Anhu ki tareekhe wafaat he, 22 Rajjab ko Hazrat Jaafar Sadiq Rahmatullahi Alaihi se koi talluq nahi, na is me unki wiladat hui aur na wafaat hui,
★•  isse saabit he k is Rasm ko mahaz pardaposhi ke liye Hazrat Jaafar Reh.  ki taraf mansoob kiya jata he, varna dar haqeeqat ye Rasm Hazrat Maviya Raziyallahu Anhu  ki wafat ki khushi me manayi jati he,
★•  Jis waqt ye Rasm ijaad ki gayi Shiya log musalmano se bugz rakhte the, isliye ye ahatmam kiya gaya k Sheerni elaaniya taqseem na ki jaye, taki raaz paash na ho sake, balki dushman khamoshi ke saath ek doosre ke yaha'h jaa kar us jagah ye Sheerni kha le jaha'n usko rakha gaya he, aur is tarah apni khushi ek doosre per jaahir kare,
★•  Jab iska charcha hua to isko Hazrat Jaafar Sadiq Reh. ki taraf mansoob karke ye tohmat un per lagayi k unhone khud is tareekh ko apni Fateha ka hukm diya he, haalanki ye sab mangadant he,
 Musalmano per laazim he k hargiz esi Rasm na kare, khud bhi bache aur doosro ko bhi iski haqeeqat se agaah kare, isse bachane ki koshish kare,
  Ahsanul Fatawa,Jild -1, Safa 367
Next -30 ©ontinue in sha Allah,,
        ⊙ Talibe Dua,
        ⓖ Haqq Ka Daayi,

     ━═─────────────────═━
★☆★

Post a Comment

 
Top