0

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
                PART NUMBER
                           29   
  
       ▣ Dï£ Kï Hifazat Kijiye ▣
  ◆══◆══◆══◆══◆══◆
                ☞ Hirs  ( Lalach ),
◈  Jab Aadmi per Duniya Kï Muhabbat ka nasha chadhta he to Wo Hirs ka mareez ban jata he ,Yani uske paas kitna hi maal v Daulat Jama ho jaye magar fir bhi Wo zyada ka talabgaar rehta he ,
◈ Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Agar Aadmi ko Sone se bhari hui ek poori Vaadi bhi de Dï jaye to wo doosri vaadi ka talabgaar hoga aur agar doosri de di jaye to Wo teesri ka talabgaar hoga ,
Aur Aadmi ka pet to sirf mitti hi bhar sakti he ( yani Marne ke baad is laalach ka silsila khatm hoga ) aur Jo Tauba kare to Allah Ta'ala Uski Tauba qubool farmayega ,"
⚀•RєԲ: Bukhari Sharif, 2/953
◈ Ek doosri Rivayat me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Aadmi bada ho jata he aur uske saath Uski Do khwahishe'n bhi badhti he'n ,Ek MAAL Kï Muhabbat doosri Lambi Umar Kï Tamanna,"
⚀•RєԲ: Bukhari Sharif, 2/950
◈ Hirs ke marz ko khatm karne ke liye un ahadees ko saamne rakhna chahiye jinme Duniya Kï mazammat waarid hui he'n ,Maslan ek Rivayat me he k Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Duniya Momin ke liye qaid khana  he aur Kaafir ke liye Jannat he ,"
⚀•RєԲ: Muslim Sharif, 20/407
◈  Isi tarah ek aur Rivayat me Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ka irshad he ,
" Jo Apni Duniya se lagaav rakhega Wo Apni Akhirat ka nuqsaan karega
Aur Jo Apni Akhirat pasand karega Wo apni Duniya ganwayega ,Lihaza fana hone wali Duniya ke muqable me baqi rehne wali Akhirat ko tarjeeh do ,"
⚀•RєԲ: Mishkaat Sharif, 2/441
◈ isi tarah Hirs ko khatm karne ke liye ye Yaqeen bhi rakhna chahiye k Allah Ta'ala ne hamara rizq pehle se hi matayyan kar diya he ,Wo Hume baharhal mil kar rahega aur hamari Maut us waqt tak nahi aa sakti jab tak k hum apne muqaddar ke har har luqme ko na hasil kar le ,
*_ Hamesha Apne se niche darje walo per Nazar rahe ,taki Shukr ka jazba bhi ATA ho ,
☆ Next - 30 , Soon in Sha Allah ☆
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 163
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
                PART NUMBER
                           30   
  
        ▣ Dï£ Kï Hifazat Kijiye ▣
   ◆══◆══◆══◆══◆══◆
           ☞  Bukhl ( Kanjoosi ),
◈  Duniya Kï Muhabbat se Jo marz felte he'n Unme ek " Bukhl " he Jo insaan ko bahut se Amaale khair se rokne ka sabab banta he ,Bukhl MAAL Kï Muhabbat me ESA majboor ho jata he k Aqal ke taqaze aur Shara'i ahkaam ke bavjood use kharch karna bahut sakht bojh maloom hota he ,
◈ Kanjoos Aadmi aur Sadqa khairaat karne wale Kï misaal ese do Shakhso Kï tarah he Jo Lohe Kï do Zirhe pehne hue ho Jiski ( tangi Kï ) vajah se unke dono haath unke seene aur gardan se chimat gaye ho ,
Pas Jab Sadqa dene wala Sadqa dena shuru karta he to uski Zireh khulti chali jati he ,
Aur jab Bakheel kuchh sadqe ka iraada karta he to Zireh ke sab ajra mil jate he'n aur har har jod apni jagah pakad leta he ( Jiski Vajah se Bakheel ke liye sadqe ka iraada poora karna bada mushkil ho jata he ),
  ⚀•RєԲ Muslim Sharif, 1/328
◈ Zaroori aur Wajibi jagah per kharch karne me Bukhl karna Qur'an Kareem me kaafiro aur Munafiqo ka Amal bataya gaya he ,Bilkhusoos Zakaat farz hone ke bavjood Zakaat na nikaalna bad tareen azaab ka mojib he ,
◈ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Do Aadate'n Allah Ta'ala ko pasand he'n aur Do Aadate'n na-pasand he'n ,
Jo Do Aadate'n Pasand he'n Wo Sakhawat aur Khush Akhlaqi he aur Na-pasandida Aadate'n Bad khalqi aur Kanjoosi he ,Chunache Jab Allah Ta'ala kisi bande Se bhalai ka iraada farmate he'n to use logo Kï zaruriyaat poori karne ke kaam me laga dete he'n, "
  ⚀•RєԲ:- Shobul imaan ,7/436
☆ Next - 31 , Soon in Sha Allah ☆
  ⚀•RєԲ: ➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 166
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
       
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
                PART NUMBER
                           31   
  
           ▣ Dï£ Kï Hifazat Kijiye ▣
       
     ◆══◆══◆══◆══◆══◆
               ☞  Bugz v Adawat ,,,
◈  Dil ko jin bad tareen Amraaz se bachana zaroori he unme ek Bada Marz kisi se Keena aur Bugz rakhna he ,Iska Duniyavi nuqsaan to zahir he k is Bugz v Adawat Kï Vajah se maamla kaha se kaha pahunch jata he ,aur Deeni nuqsaan ye he k Jab kisi se Bugz hota he to fir us per ilzamaat lagaye jate he'n, geebate Kï jati he'n ,Sazishe rachayi jati he Goya k ek marz na Jane kitne Kitne marzo ki vajah ban jata he ,
◈ Chunache Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya he ,
" Har hafte me do baar Peer aur Jumeraat ke din ( Allah Ta'ala ke darbaar me ) logo ke Amaal naame pesh kiye jate he'n, Pas Allah Ta'ala har imaan wale Shakhs Kï magfiat farmata he ,Sivaye ese Aadmi ke Jiski doosre se Dushmani aur Bugz ho to keh diya jata he k in dono ko abhi chhod do taki ye dono Sulah kar le ,"
⚀•RєԲ: Kanzul Ummal ,3/187
◈ Aur Baaz Rivayaat me he k Sha'baan Kï Pandrhvi Shab ko magfirat Kï jati he magar Keena parvar Kï is Raat me bhi magfirat Nahi hoti ,
⚀•RєԲ: Kanzul Ummal, 3/186
◈ Isliye Shariyat e islamiya ne Bugz v Adawat ke taqazo per Amal karne se nihayat sakhti se mana kiya he ,
☆ Next - 32 , Soon in Sha Allah ☆
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 196
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
      
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

Post a Comment

 
Top