0

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
                PART NUMBER
                           13   
  
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Doosro ke Maal Ya Jaaydaad per Nahaq QABZA karna ,
◈  Haraam Aamdani ke zaraaye me ye bhi he k bila kisi Haq  ke kisi doosre Shakhs ke maal ya jaaydaad per qabza Jama liya jaye ,Qurane Kareem me kai jagah Aapas Kï razamandi ke bager galat tareeqe per ek doosre ka maal Khane se sakht mana kiya gaya he ,
◈ Aur Ek Hadees me Vaarid he k Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Jo Aadmi balisht bhar zameen bhi zulman le le to saat Zameeno se us per Toq bana kar daala jayega ,
⚀•RєԲ:➻ Ravaah Bukhari, 1/453
◈ Is Hadees ke Mafhoom ke bare me likha he k isse Muraad ye he k Balisht bhar jagah saato zameen tak khodne ka Hukm use diya jayega to is tarah khodne Kï vajah se Wo hissa uske gale me toq ke manind maloom hoga ,,
◈ Aur ek doosri Rivayat me Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya k ,Jo Shakhs Na-jaa'iz tareeqe per doosre Kï zameen ka kuchh hissa bhi daba le to uski koi bhi nifli ya wajibi ibaadat Allah Ta'ala Kï bargaah me qabile qubool na hogi ,"
⚀•RєԲ:➻ Attargeeb v Tarheeb ,3/10
◈  Ek Hadees me Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne ye hidayat farmayi ,
" Jis kisi ke paas doosre bhai ka izzat ya maal se mutalliq koi Haq ho to usse Aaj hi maaf kara le to qabl iske k Wo Din aaye k jab Deenar v Dirham na chalenge balki agar uska koi Nek Amal hoga to usse doosre ke Haq ke ba qadar le liya jayega aur agar uske paas nekiya'n na hongi to uske Bhai Kï Buraaiya'n le kar us per laad di jayegi ,"
⚀•RєԲ:➻ Ravaah Bukhari, 2/967
◈ isliye har Musalman ko Zulm aur Gazab se bach kar Allah se Sharm v Haya ka saboot dena chahiye aur Akhirat Kï bad tareen ruswayi se Apne aapko bachana chahiye,
☆ Next - 14 , Soon in Sha Allah ☆
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 131
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
                PART NUMBER
                           14   
  
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆
             ☞  Rishwat Khori ,
◈  Rishwat khori yani doosro se nahaq Raqam vagera LENE ka marz esa khatarnaak aur Bad tareen he jisse na sirf Qaum Kï ma'asiyat tabaah hoti he,
◈ Jo Shakhs Rishwat Kï chahat me mubtila ho jata he to uski Nazar me na apne mazhab aur Qaum ka faayda rehta he na mulk Kï salaamti Kï ahmiyat uske saamne rehti he ,uski nigaah me to sirf Apni Jeb ka faayda aur munafa khori hi ka jazba hota he ,aur Daulat ke nashe me Wo doosre ke nuqsaan Kï parvaah nahi karta ,Uska Dil sakht ho jata he ,aur Reham ka jazba nikal jata he ,
◈ isi bina per Rishwat Kï Shariyat me sakht mazammat waarid hui he ,Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Rishwat lene wale aur ( bila zarurat) Rishwat dene wale per Allah Kï laanat he ,"
⚀•RєԲ:➻ Attargeeb v Tarheeb ,2/125
◈ Aur doosri Hadees me irshad farmaya,
" Rishwat lene wala aur ( ba khushi bila zarurat ) Rishwat dene wala dono Jahannam me jayenge ,"
⚀•RєԲ:➻Ravaah Tabrani ,Targeeb  3/125
◈  Ek Hadees me Aap Sallallahu Alaihivasallam ne Rishwat lene aur dene wale ke saath us Shakhs per bhi laanat bheji he Jo Rishwat ke liye darmiyan me dalali karta he ,
◈ in sakht tareen Vaiedo se Rishwat ke bhayanak anjaam ka badi asaani se andaza lagaya ja sakta he, Rishwat esa nasoor he jiska fasaad Akhirat me hi nahi balki Duniya me bhi iske bhayanak nateeje logo se chhipe nahi he ,
*__Rishwat lene wale ke liye Rishwat ka paisa kisi bhi soorat me Halaal nahi he ,Albatta Baaz khaas soorto me jab k apna Haq zaay ho raha ho ya shadeed nuqsaan ka andesha ho to Fuqha ne zarurat an Rishwat dene Kï ijazat di he ,( Lekin Rishwat Lena har haal me haraam he )_
☆ Next - 15 , Soon in Sha Allah ☆
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 133
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
                PART NUMBER
                           15   
  
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Na-jaa'iz Zakheera Andazi ( Jama Khori )
◈  Shariyat ne awaam ko nuqsaan pahuncha kar cheezo ko Jama karke zyada kamane se bhi mana Farmaya he ,Nabi Kareem Sallallahu Alaihivasallam ne is Amal se sakhti se mana farmaya he ,
◈ Ek Hadees me irshad farmaya, " Jo Shakhs galla vagera Jama kare Wo galat kaar he ,""
⚀•RєԲ:➻ Muslim, 1/2
◈ Aur ek Rivayat me he k ," Jama khor Aadmi bura he k Allah Ta'ala cheezo ki qeemate sasti kare to use gam hota he aur jab mehngayi ho to use khushi hoti he ,"
⚀•RєԲ:➻ Targeeb v Tarheeb,2/364
◈ Hazrat Umar Raziyallahu Anhu se Rivayat he k maine Aap Sallallahu Alaihivasallam ko ye kehte hue suna he ,
" Jo Shakhs Musalmano per unka galla vagera ROK kar rakhe ,Allah Ta'ala use Kodh ke marz aur tangdasti me mubtila karega ,"
⚀•RєԲ:➻ Targeeb v Tarheeb ,2/363
◈  Jama khori Kï muma'anat us waqt he Jabki uski vajah se Shehar walo aur Awaam ko nuqsaan ho ,isme Wo tamaam cheeze shamil he'n Jinse logo ko nuqsaan pahunch sakta he ,Galla ,Kapde ,Rozmarra Kï zaroori Cheeze ,
◈ Haa'n agar Jama karne se Kisi nuqsaan ka andesha na ho to fir khareed kar stocks rakhne me koi harj nahi ,isi tarah jab bazaar me us cheez Kï koi kami na ho  ,agar koi Shakhs shuru fasal me koi cheez zyada miqdaar me khareed kar RAKH le k akheer fasal me qeemat bad Jane per bech dega ye bhi mana nahi he ,isliye k uske is Amal Kï vajah se qeemat nahi badegi ,
☆ Next - 16 , Soon in Sha Allah ☆
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 135
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
                PART NUMBER
                           16   
  
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Madaris Aur Milli idaaro Kï Raqam me ahatyaat ,
◈  Pet ko Jahannam Kï Aag se bachane Ke liye ye bhi laazim he k Jo log Kisi ese idaare se wabasta ho jisme Qaum ka Rupiya khaas masarif me sarf ke liye Jama hota he ,uski amanato me Wo nahaq tasrruf na kare aur  is bare me intehayi mohtaat rawayya apnaye ,
◈ Qurane Kareem me Yateem ke maal Khane ko " pet me aag bharne " se tabeer kiya gaya he aur Ulma likhte he'n k Sabhi Avqaaf vagera ke ahkamaat bhi yateem ke maal Ki tarah he'n ,yani Qaumi aur Milli idaaro ke Muntazim yaha tak k Ameerul momineen bhi islami Hukumat ke khazano ka maalik nahi he ,balki us per islami hidayaat ke mutabiq har fund ka Rupiya usi ke masraf me sarf karna zaroori he ,aur bila zarurat sarf karne per ya gair Mustahiq per kharch karne per usse indallaah muwakhza ( poochh tachh ) hoga ,
◈ Afsos he k Aaj is sailsile me sakht laparwahi aur kotahi Aam hoti ja rahi he ,Kuchh idaare to ese he'n jinhone Zabardasti Apne ko " Aamile Hukumat" ke darje me rakh kar Zakaat Kï Raqam bila dareg manmane masarif me kharch karne ke raaste nikaal liye he ,aur badi tadaad ESE idaaro Kï he jinme agarche " Aamile Hukumat " ka unwan to nahi he lekin Zakaat Kï Raqam me zarurat bila zarurat " Tamleek ka Heela " apnaya ja raha he ,aur ye Raqam Jo khaalis Fuqra ka Haq he use Tameer ,Ziyafat aur Madarse ke buland v baala tarruf ke qeemti aur Khush numa literaturo me kharch kiya Jane laga he ,
◈ Madarse me Taleemi maiyaar chahe kahi tak ho lekin iska tarruf itna zordaar chhapwaya jata he mano poore ilaaqe ka Darul uloom yahi he ,
◈  isi tarah bahut se ese mamooli makatib jinme tankhwah ke alawa kharch ka koi qabile zikr mahal nahi he aur Waha nadaar talba Kï Rihaaish aur ta'aam ka bhi intezam nahi he ,unme mahaz tameeraat aur mushahiraat per Zakaat Kï Raqam bila dareg kharch Kï ja rahi he ,
☆ Next - 17 , Soon in Sha Allah ☆
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 138
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
,
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
                PART NUMBER
                           17   
  
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Heela aur Tamleek Sirf Majboori me Jaa'iz he ,
◈  Aur " Heela Tamleek " Jo ek intehayi majboori Kï cheez thi use hi Asal qanoon ke darje me rakh diya gaya he ,isliye achchhi tarah samajh lena chahiye k Tamleek ke Heele Kï ijazat sirf usi waqt he Jabki Madarsa ya idaare me filwaqt masraf mojood aur zarurat itni sakht ho k agar Heela na kiya jaye to Waha Deeni zarurat Kisi bhi Darje me anjaam na Dï ja sake ,
◈ Yaad rahe ! K har maktab ko ek dam Darul Uloom banana hamare zimme nahi he ,balki Jitne kharche ka ba asaani intezam jaa'iz aur Shara'i tareeqe se ho sake utne hi darje per idaare ko rakha jaye ,aur Rafta rafta taraqqi di jaye ,
◈ Aaj be ahatyatiyo k bada sabab ye he k har idaara pehli fursat me ounche plan aur mansoobe banata he aur Jab un mansoobo Kï takmeel ke liye ataaya nahi mil paate to Zakaat ke Maal ko Halaal karne ke Raaste apnata he ,aur bila zarurat Heela Akhtyar karta he ,Halanki ye kitni Mehroomi Kï baat he k Aadmi doosro ke faayde ke unwaan se khud apni Akhirat kharab kare ,
        """ Wallahu Aalam """
☆ Next - 18 , Soon in Sha Allah ☆
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 139
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
,
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•
            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾
                PART NUMBER
                           18   
  
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆
☞ Hazrat Maulana Binnori Reh. Ka Tarje Amal ,
◈  inhi be ahatyatiyo Kï vajah se aaj awaam v khwaas Madaris aur Deeni idaaro ko Shak Kï nigaah se dekhne lage he'n ,Jabki zimeedaraan  taqwe per mukammal rahe to unke aitmaad ko thays kabhi nahi pahunch sakti ,is SILSILE me Rehnumayi ke liye Aalime Rabbani imamul Hadees Hazrat Maulana Muhammad Yusuf Binnori Reh. Ka Amal pesh he ,
◈ Hazrat Sekh Noorullahu marqadhu ne apne Madarse ( Jami'a islamiya Binnori Town Karachi ) ke liye Mushkil tar raasta Akhtyar kiya aur ESE usool banaye Jo pehle padhne ,Sunne aur dekhne me nahi aaye the ,
◈ Aapne sabse aham usool ye Akhtyar farmaya k Madarsa ko haasil hone wali Aamdani ko Do Mado me taqseem Farmaya, Ek mad Zakaat v Sadqaat Kï aur Doosri atyaat Kï ,Zakaat fund Kï Raqam sirf Talba ke akhrajaat khurdnosh aur waza'if ke liye khaas kar Dï gayi ,is Fund ko Madarse Kï Tameer ,Kitaabo Kï khareed aur Ustaado Kï tankhwah per mutlaq kharch nahi kiya jata tha ,
◈ Atyaat ke fund se Ustaado Kï tankhwah aur digar wajibaat Kï adaygi Kï jati thi ,Sabko Maloom he k Aksar Maaldar log Zakaat Kï beshtar Raqam Madaris ko dete he'n aur Atiyaat Kï taraf kam tavajjoh dete he'n, is tarah Deeni Madaris ke paas Zakaat ke Fund me khaasi Raqam Jama ho jati he ,lekin Atiyaat ka Fund Aksar qillat ka shikaar rehta he ,
◈  Hazrat ke Madarse me kai moqe ESE bhi aaye k gair Zakaat ka fund khali he ,ek dafa Haaji Muhammad Yaqoob Sahab Hazrat Kï khidmat me haazir hue aur arz kiya k Mudarriseen Kï Tankhwah ke liye Atiyaat ke fund me Raqam nahi he ,agar aap ijazat de to Zakaat fund se qarz le kar Ustaado Kï tankhwah de Dï jaye aur jab Atiyaat ke fund me Raqam aaye to Zakaat ka qarza waapas kar diya jayega ,
◈ Hazrat Sekh ne badi SAKHTI se mana farmaya k mai Ustaado Kï Asaaish Kï khatir khud ko Jahannam ka iydhan nahi banana chahta ,Unhe Sabr ke saath Allah Ta'ala Kï taraf se Atiyaat ke fund me bheji Jane wali Raqam ka Intezar karna chahiye, aur agar Sabr na kar sake to unhe is baat ka Akhtyar he k Wo Madarsa Chhod kar Kisi  jagah tashreef le jaye ,
◈ Maulana Binnori Reh .ne jis Madarsa ke liye ye usool banaye the Wo Aaj nihayat maiyaari aur ba Faiz Madarsa he ,Aur saath hi har qism ke maaddi wasa'il se bhi malamaal he ,Ashabe Khair is Madarse ka taawun karna Apne liye Sa'adat samajhte he'n ,
*__Gor farmaiye kya esi doosri misaale qaayam nahi Kï ja  sakti ? Waqiya ye he k agar hum Allah se Sharm v Haya ka Haq ada karne wale ban jaye to hamari har mushkil asaan ho sakti he ,Allah Ta'ala Hume Tofeeq de aur Hamari Madad farmaye ,Aameen ,
☆ Next - 19 , Soon in Sha Allah ☆
  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 139
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм

    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε 
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER 
                           19   
   
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

☞ Commissions Per Chanda ,

◈  Maali Be ahatyatiyo ka aalam ye he k Aaj Kuchh Deeni idaaro me be khof v khatar Commission per Chanda ka rivaaj pad gaya he ,Halanki Daure Haazir ke sabhi Ulma v Muftiyaan is tarah commission lene ko Na-jaa'iz qaraar dete he'n aur Kutube Fatawa me is silsile me Daleel ke saath mufassil fatawe shaay bhi ho chuke he'n, Magar Khofe khuda Kï kami ne Shara'i ahkaam ko pashe pusht daal rakha he aur Chande ko ek achchha khaasa karobaar bana liya he ,

◈ Commission per Chande ke haraam hone Kï muta'addid Vajah he'n ,

* 1- Avval ye k ye Esa ijarah he jisme shuru me koi ujrat Maloom nahi he ,isliye k na Jane kitna chanda ho aur ho sakta he bilkul bhi na ho ,aur Vasool karne wale ko kuchh bhi haath na aaye ,

◈ 2- Ye Chande Kï Aamdani khud Vasool karne wale ke Amal ka natija he aur isi Natije me se ujrat mutaiyyan Kï ja rahi he ,is tarah ujrat ka mutaiyyan karna Na-jaa'iz he ,

◈ 3- ijarah Kï Sahat ke liye Khud chanda Vasool karne wale ka qaadir hona shart he aur Yaha'n chande ka Amal Vasool karne wale Kï qudrat se bahar he yani Jab tak Chanda dene Wala Rupiya nahi dega ye lene per qaadir nahi he ,Aur Aadmi jis cheez per qaadir nahi usko ujrat kese bana sakta he ,

⚀•RєԲ:➻ Ahsanul Fatawa, 7/276 Fatawa Mehmudiya ,4/274

◈  Haa'n agar Safeer Tankhwah daar ho ( Salary leta ho ) aur Uski ek Tankhwah mutaiyyan ho Yani chahe Chanda ho ya na ho use Apni mehnat ka sila bahar haal milega to usko Tankhwah Lena Jaa'iz he ,Kyuki Yaha'n iski ujrat ka talluq Chande Kï Raqam se nahi balki logo se mulaqaat aur is maqsas ke liye Safar vagera karne se he ,Jisme Kaam aur Ujrat dono mutaiyyan he ,aur ese Tankhwah daar Safeer ko agar koi idaara imdadi fund se ( Jisme Zakaat Sadqaat ki Raqam shamil na ho ) inaami raqam de to uske liye lene Kï bhi gunzaish he ,Ye commission me shamil nahi he ,

◈ Bahar haal Deeni idaaro ke Zimmedaro ko sabse zyada Shariyat ke ahkaam ka KHAYAL rakhna chahiye, aur har qism Kï be ahatyatiyo Se bachne Kï koshish karni chahiye, taki unka waqaar barqaraar rahe aur Deeni khidmaat me barkat ka zahoor ho ,


☆ Next - 20 , Soon in Sha Allah ☆ 

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 141
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ 
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉             
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
,   
 
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞
❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε 
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER 
                           20    
   
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

☞ Ujrat Per Taraveeh Vagera,

◈  Allah Ta'ala se Sharm v Haya ka taqaza ye bhi he k Aadmi kisi bhi Deeni ibaadat ko Duniya ke haasil karne ke liye maqsood na banaye aur mamooli Duniyavi nafe ke laalach me Akhirat ka nafa qurban na kare ,

◈ Aaj kal Ramzanul Mubarak me Taraveeh Sunane ke badle me Badi Aamdani ka rujhaan bhi badhta chala ja raha he ,isliye bade bade Shehro me achchhi achchhi jagah talash Kï jati he ,Qurane Kareem esi cheez nahi he use chand kodiyo ke badle farokht kar diya jaye ,Mahaz Qur'an Kareem Kï Tilawat per ujrat muqarrar karna Qur'an Kareem Kï khuli hui toheen aur naqadri he ,aur iske liye Jo Farzi taveelaat v heele apnaye jate he'n Wo bhi na-qabile tavajjoh he'n ,

◈ Bahut Se log Huffaaz Kï maali pareshani ka zikr karte he'n k khatm per Uski Madad ho jati he ,to sawal ye he k Wo pehle se hi pareshan tha to khatm se pehle uski madad kyu nahi Kï gayi ?Kisi gareeb Kï madad karna kabhi bhi mana nahi he ,mana to ye he k usko Qur'an Kareem Kï ujrat khilayi jaye ,

◈ Baaz log ye bahana dhoondhte he'n k agar ujrat na di jaye to Masjid me Khatme Qur'an ka rivaaj khatm ho jayega ,Halanki khatme Qur'an koi esa Shara'i Waajib ya laazim nahi he k jiske liye Na-jaa'iz maamle ka irtkaab kiya jaye , Fir ye Daava bhi galat he k isse khatme Qur'an ka silsila band ho jayega ,isliye k Ummat me Alhamdulillah ese Huffaaz Kï kami nahi he Jo khud Apne Qur'an Kï hifazat ke liye Masjid talash karne Kï fikr me na rehte ho ,

◈  Agar Dene dilane ka rivaaj bilkul hi khatm ho jaye to khud ba khud Huffaaz ke Dil se tama laalach khatm ho jayega ,isiliye Shaami me naqal kiya gaya he k ,
" Ujrat per Tilawat ke zariye isaale sawab karane per ujrat lene wala aur dene wala dono gunahgar he'n ,"
( Shaami Zakariya ,9/77) 

*_Kyuki dene wale ke iraade Se hi lene wale ko hosla milta he ,agar is maamle me dene wale Shariyat per Amal karte hue dene se mana kar de to lene walo ko mutalba ka hosla hi nahi ho sakta ,

  ▣ Agar Mukhlis Hafiz Na mile   ▣ 

◈ bilfarz agar kisi jagah bager liye padhane wala mukhlis Hafiz na mile to Fatwa ye he k Waha ke logo ko Kiraayedaar Hafiz se poora Qur'an Sunne ke bajaye " Alam Tara Kayf " se Taraveeh padh leni chahiye,
( Dekhiye imdadul Fatawa ,1/484)


☆ Next - 21 , Soon in Sha Allah ☆ 

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 142
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ 
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉             
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
,   
  
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

Post a Comment

 
Top