3


❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER
                           08   
  
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

☞ - Haraam Aamdani Ke Zariye ---1- Sood ( Interest)

◈  Aamdani ke Haraam zaraay me sabse bad tareen zariya ,"Sood " he ,Qurane Kareem me na sirf ye k Soodi Len den se mana kiya gaya he balki Soodi karobaar me lage rehne walo se Elaan-E-Jung kiya gaya he , Ahadees Sharif me bhi Kasrat ke saath Sood Kï muman'at waarid hui he ,

◈ Huzoor Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" Sood ka ek Dirham jise Aadmi jaan boojhkar khaye uska wabaal aur gunaah 36 martaba moonh Kaala karne se bad tareen jurm he ,"

*_Ref_$_Ravaah Ahmad ,Targeeb, 3/5,

◈ Sayyadna Hazrat Jaabir Raziyallahu Anhu farmate he'n, Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne Sood Khane wale ,khilane wale ,Soodi maamle ko likhne wale aur uski gawahi dene walo per laanat farmayi he aur farmaya k ye sab ( gunaah me ) barabar he'n ,

*_Ref_$_Ravaah Muslim, 2/27

◈ Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu Aap Sallallahu Alaihivasallam ka irshad naqal farmate he'n,
" Sood ke Sattar ( 70 ) darje he'n jinme sabse zyada halka darja esa he jese koi Shakhs apni Maa'n se ( Na'uzubillah ) moonh Kaala kare ,"

*_Ref_$_Mazahir Haq ,3/26

◈  Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam irshad farmate he'n k ,
" Meraaj Kï Raat me mera guzar esi jama'at per hua jinke Pet kamro ke manind the jinme Saanp ( lipat rahe ) the, Jo bahar se Nazar aa rahe the, mene puchha k Ey Jibraiyl ye kon log he'n ?
To Jibraiyl Alaihissalam ne jawab diya k ye Sood Khane wale log he'n ,"

*_Ref_$_Ravaah Ahmad ,Targeeb, 7/3

◈ Hazrat ibne Abbas Raziyallahu Anhu Kï Rivayat he k Aap Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,
" JIS kisi Basti me Badkaari aur Sood khori Aam ho jaye to Waha'n ke Basinde Apne ko Allah ke Azaab ka Mustahiq bana lete he'n ,"

*_Ref_$_Targeeb v Tarheeb ,3/6

*_Isi tarah Kï aur bhi Rivayaat ka ZAKHIRA Hadees me mojood he Jinko padh kar Sun kar kisi bhi imaan wale ko hargiz ye Jurrat na honi chahiye k Wo Apni Aamdani me Sood ka ek luqma bhi shamil kare lekin bura ho is daulat Kï hirs ka k Aaj hum Islam ka Daava karne ke bavjood Soodi karobaar se bachne ka ahatmaam nahi karte ,

☆ Next - 9 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 123
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐
,
┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER
                           09   
  
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

☞ Bank Ka interest bhi Yaqeenan Sood he ,

◈  Kuchh Azaad khayal logo ne kaafi arse se ye galat fehmi paida kar rakhi he k Bank me raqam rakhne per Jo Zaa'id Rupiya milta he Wo to Shirkat he k Bank usi Raqam se Karobaar karta he Fir Apne Nafa me se kuchh hissa Rupiya rakhne walo ko bhi deta he ,

◈ Lihaza ( Esa ye Azaad Khayal ke log kehte he'n k ) ise  sood nahi kaha jayega balki Jo Raqam Zaa'id mil rahi he Wo Shirkat ka mu'awza qaraar Dï jayegi , Halanki ye kehna bilkul bia daleel he ,

◈ Fiqha islami me Bank se jo Zaa'id Raqam milti he Wo bila Shak v Shuba " Sood " me Dakhil he jiski Hurmat ( haraam hone per ) tamaam Fuqha e islam muttafiq  he'n  ,

◈ Kyuki Bank se Jo bhi izafa milta he Wo mahaz muddat guzarne per milta he ,Karobaar me Shirkat ka Waha Wahamo gumaan bhi nahi hota he ,

◈ isliye ye nihayat faasid taveel he k Banko me jaari Sood ko Haraam na maan kar Khwahmkhah Shirkat me daal diya jaye ,Ye Sood khoro ke Shaitani Wasawis ( Khayalaat )  he'n jinhe Ummat baar baar Rad kar chuki he ,

☆ Next - 10 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 125
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐

┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER
                           10   
  
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

☞  Juwa aur Satta ,

◈  Shariyat me Aamdani ke jin zaraay Kï sakhti se muma'anat aayi he unme Juwa aur Satta bhi SHAMIL he ,Qurane Kareem me Surah Maa'ida me  Juwa aur Sharaab ko ek saath Zikr karke unhe gandgi aur galazat qaraar diya gaya he ,

◈ Aur Janabe Rasulallah Sallallahu Alaihivasallam ne Chosar ( Jo Satte me khela jata he ) ke bare me irshad farmaya, " Jisne Chosar khela usne apna haath Khinzeer ke Gosht aur uske khoon me saan liya ,"

⚀•RєԲ: Muslim Sharif, 2/240

◈ Dekhiye Satta khelne ko Aap Sallallahu Alaihivasallam ne kis qadar ghinona Amal qaraar diya he jiska koi Musalman tasavvur bhi nahi kar sakta ,

◈ Allama Aalusi Reh. Juwe Satte ke mufasid ke bare me Likhte he'n ,:-
" Aur Juwe ke mufasid ( nuqsaan )  me se ye he k ,
1- logo ka maal na-jaa'iz tareeqe per khana ,
2- Aksar Juwariyo ka Chori karna ,
3- Qatl karna
4- Bachcho aur ghar walo ka khayal na karna ,
5- Gande aur bad tareen jurmo ka irtkaab karna ,
6- Zaahiri aur Poshida Dushmani karna ,
Aur ye bilkul tajurbe Kï baat he ,inka koi Shakhs inkaar nahi kar sakta ,illa ye k Allah Ta'ala ne kisi ko sunne aur dekhne Kï salahiyat se mehroom kar diya ho ,

⚀•RєԲ: Roohul Ma'ani ,2/115

◈  Tajurbe se saabit he k JIS mashre me Juwa Satta Kï  kasrat hoti he Wo mashra Jurm aur Bad Amaaliyo Kï jagah ban jata he ,isliye k muft me haraam khori Kï jab Aadat pad jati he to mehnat mazdoori karke kamana mushkil hota he ,laakho khandan is Nahusat me giraftaar ho kar tabaah v  barbaad ho chuke he aur dono Jaha'n Kï ruswayi mol le chuke he'n,

☆ Next - 11 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 129
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐

┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER
                           11   
  
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

☞ Lottery Vagera ,

◈  is daur me Juwe aur Satte Kï bahut si shakle raa'ij he'n aur Sab haraam he'n ,inme ek Lottery Kï laanat bhi he Jiske zariye khoobsurat andaz me poori Qom ka khoon choosa ja raha he ,

◈ Zara gor farmaiye ,Lottery Kï ek company Maslan Teen laakh ke Ticket bechti he aur unme se Ek Laakh Rupiya inaam me de deti he, to ye Do laakh Rupiya Jo lottery Kï company ko mila Ye kisi ka sarmaya he ,Bechare gareeb rickshaw poolero ka aur Mazdooro ka ,Jinke khoon pasine Kï kamaai sarmayadaro aur Hukumat ke khazano me simat kar chali jati he ,

◈ Aur mahaz ek bade nafe ke  laalach me ye gareeb awaam khushi khushi apni mehnat Kï kamaai in khoon choose walo ke hawale kar deti he ,hamare saamne esi bahut misaale he'n k lottery ke chakkar me aa kar kitne hi log Apne GHARO ke Bartan ,Bivi ke zeveraat yaha tak k Kapde ,Makanaat tak bech dete he'n ya girvi rakh dete he'n, aur dekhte hi dekhte kangaal ho jate he'n,

◈ isi tarah Aaj Mohalle Mohalle Sceemo ke naam per sarmayakari Kï ja rahi he ,inme bhi Juwe Kï soorte'n payi jati he, Maslan Jiska naam pehli Qist ada karte hi nikal aaye Wo bahut kam qeemat me kisi Cheez ya badi Raqam ka maalik ban jata he aur baqi logo ko Apne number ka intezar karna hota he ,

◈  isi tarah patangbazi ,Kabooter bazi ,Shatranj ,Keram board Vagera jinme haar jeet per Len den Kï sharte hoti he'n ,Ye sab Shkale haraam he'n, Yaha tak k Ulma ne likha he k Bachche Jo Goliya aur gatte khelte he'n aur us per doosre se Sharte rakhte he'n ye sab Juwa Satta he ,Bachcho aur Bado ko inse bach kar Allah Ta'ala se Sharm v Haya ka taqaza poora karna chahiye,

☆ Next - 12 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 130
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐

┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

❁    вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм
    •–▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤▤–●–▤–•

            ︽︽︽︽︽︽︽︽︽︽
          Aℓℓαн Sε SнαяM Kïjïγε
            ︾︾︾︾︾︾︾︾︾︾

                PART NUMBER
                           12   
  
       ▣ Pet Kï Hifazat Kijiye ▣
         ◆══◆══◆══◆══◆══◆

☞ Insurance ,,

◈  Sood aur Juwa Kï ek taraqqi yafta soorat Wo he jise Bima Ya  Insurance kaha jata he ,Bima chahe Maali ho ya Jaani ,isme Satta Kï shakl zaroor payi jati he ,

◈ Yani ye shart hoti he k agar Policy Kï muddat me maal Zaay ho gaya ya policy lene wala mar gaya to mashroot Raqam Bima company per ada karni laazim ho jayegi ,Ab maal ke Bima Kï shakl me shart na paye Jane Kï soorat me koi Raqam wapas nahi hoti ,

◈ Aur Life insurance me agar policy holder na mare to to policy poori hone ke baad saari Jama shuda Raqam stood ke saath ada Kï jati he ,is aitbaar se life insurance me Juwa bhi he aur Sood bhi ,Jabki maal ke insurance me sirf Juwa Kï Shakl payi ja rahi he ,

◈ isliye Ulma e Muhaqqiqeen ke nazdeek Life insurance Kï hurmat maali insurance ke muqable me zyada shadeed he ,

◈  Har ek Musalman ka fariza he k Wo akhtyari tor per Bima aur insurance ke maamlaat se door rahe aur Jaha'n koi Qanooni ya iztrari majboori ho to poori soorate haal bata kar Ulma se masla poochh kar Amal kare ,

◈ Nafa nuqsaan ka maalik sirf Allah he ,Jo nuqsaan Allah Kï taraf se  muqaddar me he Wo insurance Kï Vajah se tal nahi sakta ,isliye Allah per bharosa karna chahiye, Uska khof Dil me bithana chahiye aur mahaz chand roza nafa ke lalach me Akhirat ke daaymi nafa per batta na Lagana chahiye ,Nijaat aur Aafiyat ka Raaste yahi he ,

☆ Next - 13 , Soon in Sha Allah ☆

  ⚀•RєԲ:➻┐
                 Allah se Sharm Kijiye, 131
     ◰ ◱ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸
            ━─━─━─━─━─━─━─     ◳ ◴ ◵ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺ ◶ ◷ ◸ ◹ ◺ ◸ ◹ ◺
                      Talibe Dua
              ◉ Haqq Ka Daayi ◉            
        ◐═══◐═══◐═══◐═══◐

┣━━━━━━━━━━━━━━━━━━━━┫
۞✵۞

Post a Comment

 
Top