0
****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-862****
101* | Surah QaariAh | 30**
* Taraaweeh/Tilaawat Tarteeb/Sequence | ** Nuzul/Revealation Tarteeb/Sequence
Mafhumee Tarjama :
(wo) Khadkhadaaney waali (Qayaamat) Cheez Kya hai ?? (wo) Khadkhadaaney waali (Qayaamat) Cheez ?? Aur Aap ko mAalum hai Kya hai Wo Khadkhadaaney waali (Qayaamat) ?? Jis Din Insaan (Pareshaan) Parwaano kee Tarah (Bikhar) jaayenga Aur Pahaad Dhunkee hue Rangeen Uun (wool) kee Tarah (uudtey) honge, Pas jis (Insaan) ka (Imaan o Aamaal) ka Palla Bhaaree honga Wo (toa) Apnee Pasandeedaa Aesh (o Aaraam waalee Jannat) mein honga Aur jis Insaan ka (Imaan o Aamaal) ka Palla Halka honga toa uuska Thikaana Haawiyaa (Dozakh ka Khadda) honga Aur Aap ko mAalum hai Wo (Haawiyaa) Kya hai?? (Haawiyaa) Ek Dahaktee hue (Dozakh kee) Aag (ka Khadda) hai !!
Note : Aameelon kee Raaee : Har Namaaz baad Surah QaariAh kee Ek Martaba (Arabee mein) Tilaawat se Rozee mein Barkat hongee, in sha ALLAH
----------------------/-----------------/----------------------
Ye 2 Kalimaat hamesha padhtey Rahiye kyunke ye Kalimaat) Zubaan par (padhne ke atebaar se) Aasaan (halke) hai, (lekin Neki ke Aitbaar se) Mizaan (taraazu) par bhaari hai (aur) Rahmaan (ALLAH) ko bahoot pasand hai
(mafhum bukhaari Shareef)
Sub-HaanALLAHI wa-bi-Hamdihi Sub-HaanALLAAHiL Azeem...
Fazilatey :
• 2 Khajur ke Darakth Jannat mey lagaaye jaayenge.
• ALLAH tAala Raazi honga…
-------
-----------------/---------------/----------------/--------------
Jannat aur Dozakh ke Zariye hamaarey liye
Jannat mey Daakhla aur Dozakh se Panaah ki
DuAa mangwaaney ka Aasaan Nuskha :
RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ka Farmaan :
Jo Aadmi bhi Din mey 3 Martaba (ALLAH se) Jannat maangega toa (khud) Jannat (sifaarish mey) kahengi :
“aye ALLAH…merey andar (issey) Daakhil kar de isey…!!”
Aur jo Aadmi bhi Din mey 3 Martaba Dozakh se Panaah maangegatoa Dozakh (bhi sifaarish mey) kahengi…
“aye ALLAH… mujh se Hifaazat Farmaana iski…!!”
(baHawaala Tirmizi Shareef)
Awwal-Aakhir 1 ya Ziyaada Marataba Duruud Shareef ke saathRozaana 3-3 Martaba nichey likhey dono Jumlo ke zariye DuAa mango…
• aye ALLAH… mujhe Jannat ataa Farmaa…
• aye ALLAH … Dozakh se meri Hifaazat Farmaa….
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
-----------------------/-------------------/-------------------
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-------------------------/-----------------/--------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
------------------/--------------------/---------------/----------


Post a Comment

 
Top