****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-861****
100* | Surah Aadiyaat | 14**
* Taraaweeh/Tilaawat Tarteeb/Sequence | ** Nuzul/Revealation Tarteeb/Sequence
Mafhumee Tarjama : Qasam hai Uun Ghodo kee jo Haaptey hue Doodtey hai, Phir (Paththariley Raaston par) Taap Maarkar Aag (kee Chingaariyaa) Zaadtey hai (aur) Phir (Dushmano ke makaam par) Chhaapaa Maartey hai Subah ke Waqt (aur) Phir (chhaapaa maartey waqt) uudaatey hai Gubaar (taake Dushmano ko gubaar kee wajeh se nazar naa aaye aur) Phir Daakhil ho jaatey hai Uusee Waqt (Dushman kee) JamaAt (fauz, tooley, group) mein Beshaq Insaan Apney Rab ka Bada NaaShukraa hai aur (Tehqeeq) wo (Insaan) ko Khud bhee (Apnee NaaShukhree ka) Shaaheed (Gawaah) hai aur (Tehqeeq) Wo (Insaan) Maal kee Mahabbat mein bada Shadeed (sakht/mazbuut) hai. Kya uus (Insaan) ko Wo (Qayaamat ka) Waqt (Din) mAalum Naheen Jab Zinda kiye jaayenge (tamaam) Murdey (jo) Qabron mein hai?? aur (Tamaam Raaz) Zaaheer ho jaayenge Jo kuchh (Insaano) ke DiLo mein hai !! Beshaq Rab ALLAH uun (Insaan) ka uunke (har) Haal se uus Din (bhee) (Mukammal) Khabeer (jaanneywala) hai !!
Note : Tafseer e Itkaan ke mutabiq Surah Aadiyaat kee Ek Martaba (Arabee mein)Tilaawat ka Sawaab Aadhey (half) QurAaan ke Barabur hai !!
---------
---------
Imaan aur Neamat ki salaamati aur
Jannat mein RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم
Padoosi banney ka Nuskhaah
Jannat mein RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم
Padoosi banney ka Nuskhaah
ye Masnoon (Sunnat) Duaa Maangney ka Tamaam Sahaba rizw. aur
Tamaam Aslaaf ka Maamul tha :
Tamaam Aslaaf ka Maamul tha :
ALLAHumma innee As-aluka Imaanan Laa Yartad, wa Naeeman Laa Yanfad,
wa Muraafaqata Nabiyyinaa Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Fee Aa'laa darajatil Jannati, Jannatil khuld...
wa Muraafaqata Nabiyyinaa Muhammad صلی اللہ علیہ وسلم
Fee Aa'laa darajatil Jannati, Jannatil khuld...
Mafhumi Tarjama :
aye ALLAH jo Imaan Tuney mujhe diyaa hai uusey mere Gunaaho ki Nahusat ki wajeh se Salb mat karna...
aye ALLAH jo Neamatey Tuney mujhe di hai uusey mere Gunaaho ki Nahusat ki wajeh se Khatam mat karna...
aye ALLAH Aala Darje ki Jannat Jannatil Khuld mein Hazrat Muhammad ka Mujhe Padoosi banana...
aye ALLAH jo Neamatey Tuney mujhe di hai uusey mere Gunaaho ki Nahusat ki wajeh se Khatam mat karna...
aye ALLAH Aala Darje ki Jannat Jannatil Khuld mein Hazrat Muhammad ka Mujhe Padoosi banana...
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India
----------------
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
--------------------/-------------/----------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-177
Huquq ul Ibaad/Human Rights -165
Dusron ke Samaan ka Istemaal
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal bataayaa tha ke Dusrey ke Samaan ko Bilaa Ijaazat lena Haraam hai aur ye bhee hai ke Maalik e Samaan agar Muruwat mein Ijaazat de de lekin Khush DiLee se Ijaazat Naa de toa bhee uus Samaan ko lena, uuska Istemaal karna ya uusko Apney Qabze mein rakhna bilkul bhee Durast Nahee !!
1) Mazaaq mein kisi ki Cheez lekar Chupaa dena ya Istemaal karna Jaiz Nahee...
2) Sanjidgee se kisi ki Cheez Bila Ijaazat lekar Istemaal karna ya apney Qabze mein Rakhna Jaiz Nahee...
3) Jis Cheez ki Ijaazat uuska Maalik Khush DiLee se Naa de, Muruwat mein de wo Cheez ke Qabze ya Istemaal kee Ijaazat maangna aur Ijaazat se wo Cheez Haasil karke uuska Istemaal karna ya uus Cheez ko Apney Qabze mein Rakhna Jaiz Naheen.
4) Jisko Apnee Cheez ka Istemaal Dusra Insaan karey uusmein koi Etraaz Naa ho wo Cheez ka Istemaal Bila Ijaazat bhee Jaiz hai
(jaisey koi Insaan Apney Padoosiyo ko Roz Khush DiLee se Akhbaar Padhney deta hai, ab Roz Roz Ijaazat leney kee Zarurat Nahee hai. Hajjaam kee Dukaan mein Log Aksar Ainaa Dekhne Aatey hai aur Hajjaam kee Kanghee se Baal bhee Sawaar letey hai aur Hajjaam ko eskee koi parwaah nahee hotee, ye bhee bilaa ijaazat jaiz hai)
Soochaa kabhee....??
Jinke Ghar mein Freez aur Gas Stove-Cylinder Nahee hai wo Aslee Ghareeb hotey hai... Agar aisey log Aap ke Padoos mein ho toa inhe Thandaa Paanee-Barf Khush DiLee se dijiiye, enke Khane Peeney kee Cheez/Dawaaeeyaa Khush Dilee se Apney Frezz mein rakhiye aur Jab Kabhee uunke Ghar mein Lakdey ya Kerosene (Rookel/GhaasLet/Ghaas-Mitti ka Tel) Khatam ho jaaye aur wo Kuchh Waqt Aapke Gas Stove ka Istemaal karna Chaahe toa inhey Khush DiLee se Ijaazat dijiye....Zabardast Duaa milengee in sha ALLAH
Zakaat, Fitra, Sadqauh, Madad, Hadiyaa deney mein bhee inhey Naa Bhuliye...
Zakaat, Fitra, Sadqauh, Madad, Hadiyaa deney mein bhee inhey Naa Bhuliye...
-----------------/----------------/------------/------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
---------------/-------------------/----------------------------
Post a Comment