0
**** Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-860****
Surah ZilZaal 99* (93**)
Mafhumee Tarjama :
Jab Hilaaee jaayengee Zameen Apnee Sakht Jumbish se aur (Baahar) Nikaal Fekengee Zameen (murdey, sona, loha wagairaah ka) Booj Apna aur (ye dekhkar tahajjub se) Kahenga Insaan (ye) Kiyaa ho gaya (Zameen ko) ?? Uus (Qayaamat ke) Din (Zameen) Apnee Sab (Achchhee-Buree) Khabrey Bayaan karne lagengee (kyuke) Tumhaarey Rab ALLAH ke Taraf se Uus (Zameen) ko yehee (Achchhee-Buree Khabrey Bayaan karne ka) Hukm honga....Uus (Qayaamat ke) Din log Mukhtaleef JamaAton (Groups) mein (jama hokar hisaab ke makaam se) Wapas honge taakee Apney Aama'al (ke Badley) ko Dekh le So jo (Insaan Dunya mein) Zarra Barabar (bhee) Nekee karenga wo (Qayaamat mein) uusko Dekh lenga aur Jo (Insaan Dunya mein) Zarra Barabur (bhee) Buraaee karenga wo uusko bhee Dekh lenga !!
---------------------------/--------------------/--------------
Buy 1 Get 3 Bonanza !!
Aasmaan ke Darwaaze Khulwaakar, ALLAH ki Nazar e Rahmat ke saath DuAa Qubuul karwaaney ka Anmool Nabwee Nuskhaah
Ek/ziyaadaah Martaba
Laa ilaa ha illal LAAHU wah Dahu Laa Sharika Lahu,
Lahul Mulku wa Lahul Hamdu, wa huwa A'laa kulli
Shay-in Qadeer.
Ikhlaas aur aisey Yaqeen ke saath uuparwala 4tha Kalma aisey padhiye ke uuparwale 4the Kalme ke jo jo Jumle aap padh rahe ho uus par aapka Mukammal Imaan (belief) ho toa uuparwala 4 tha kalma padhkar aap DuAa maangiye, in sha ALLAH aap ke liye :-
1) Aasmaan ke Darwaaze Khol diye jaayenge aur
2) ALLAH aap ko Nazar e Rahmat se Dekhenga aur
3) Aap ki DuAa Qubuul hongi !!
(mafhum e Hadees Nasaai Shareef)
Mafhumi Tarjama :
Nahin hai koi mAabud siwa ALLAH ke (ibaadat ke laayak), wo (ALLAH) Ek hai, jiska koi Sharik (partner) Nahin, uusi (ALLAH) hi ka (saara) Mulk hai aur uusi (ALLAH) ki hi Tamaam Hamd (taareef) hai, wohi (ALLAH) Jilaata hai, Mavt deta hai (aur) uusi (ALLAH) ke Qabze mey kul khair (tamaam bhalaai) hai aur wohi (ALLAH) kul (har) Cheez par Qaadeer hai...
Composition Approved by / Tasdeekshuda : Mufti Muhammad Ebraheem Qaasmee sb. db., NYC, USA
-----------------------------/----------------------/-------------
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
----------------------------//----------------------//-------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-176
Huquq ul Ibaad/Human Rights -164
Kisee se koi Cheez ke Istemaal kee
Ijaazat Khush DiLee se milna Mumkin ho
toa hee uus Cheez kee Ijaazat lijiye !!
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Do Mafhum e aHaadees bataayee thee :
1) Tum mein se koi Shakhs Apney saathee ya Dost ka Samaan (Bila Ijaazat) Naa Mazaaq mein le (kar chhupaaye) aur Naa Sanjidagee mein (esteemaal ke liye) le !!
2) * Kisi bhee Musalmaan (yaa koi bhee Insaan ka) koi Maal uuskee Khush DiLee ke bagair Dusrey ke liye Halaal Naheen !!
Tashreeh : Pehlee Hadees mein Maazaaq aur Sanjidgee ka Lafz aaya hai aur Dusree Hadees mein Khush DiLee ka Lafz hai, dono mein Ijaazat ka Lafz Nahee hai yaanee Dusrey ke Samaan ko Bilaa Ijaazat lena Haraam hai aur ye bhee hai ke Maalik e Samaan agar Muruwat mein Ijaazat de de lekin Khush DiLee se Ijaazat Naa de toa bhee uus Samaan ko lena, uuska Istemaal karna ya uusko Apney Qabze mein rakhna bilkul bhee Durast Nahee !!
Point....Nukta....
wo Tamaan Cheezo ka Ek Check List Banaaeeye jo Aap kisee ko Khush DiLee se Naheen dena chahtey/..Ab Jab bhee kisee se koi Cheez Uudhaar ya Istemaal ke liye Maangnee ho toa es Check List ko padh lijiye toa pata chalenga ke jo cheez Aap dusrey ko Khush DiLee se Naheen de sakte wo Cheez Dusron se Maangna kaha tak Durast hai ??
-----------------------/-------------/-----------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
---------------------/---------------------/----------------------

Post a Comment

 
Top