***** Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-859****
Biwee par Miya (Bhai) ke
10 + Zulm
10 + Zulm
1) Har maamley mein Biwee ko NaZarAndaaz karna...
2) Baat Baat par Talaaq kee Dhamkee...
(Biwee bhee Police mein jaakar 498 kee fariyaad kee dhamkeeyaa detey rahtee hai
3) Baat Baat par Dusree, Tisree Shaadee kar leney kee Dhamkee...
(ghar mein nahee daaney, amma chalee bhunaaney...ek biwee ko toa sambhaalne kee taaqat nahee magar 2-3-4 biweeyaa laaney ke jhuthee dhamkeeya dekar biwee ko zehenee pareshaan karte rahta hai)
4) Ghar ke logon ke Saamney BeIzzat karte rahta hai...
5) Biwee Bachchey ko Waqt Nahee deta
6) Biwee ke liye Paabandi, Apney liye aazaadee...
7) Har Baat/Kaam mein NuktaCheenee...
8) Maa-Baap-Bahen ya kisee aur ka Ghussaa Biwee par uutaarnaa...
9) Bejaa ilzaam lagana
10) Biwee ke RishteyDaar se Nafrat, beIzzatee...
11) Saali, Bhabhee, Padosan ya Dusree koi bhee Avraton kee Taareef karke hamesha Khudkee Biwee ko Nichaa Dikhaana
12) Jawaan Bachcho ke Saamney Biwee ko Maarna, Gaaleeya dena
13) Biwee ko Maike Jaaney kee Ijaazat deney mein hamesha RokTok karna...
14) Biwee par Paisey churaaney ka Jhutha Ilzaam lagane mein Sharm bhee mahsus Nahee karna...
15) Biwee ko uuske MaapBaap se Paisey kee Madad ke liye Kahna...
16) Kam Padhee likhee Biwee ko Jaahil, Gawaar ke Laqab se Pukaarna..
17) Ghareeb Ghar kee Avrat ko aur uuske MaaBaap ko Bhikhaaree kahna...
18) Saas/Sasur ka zikr Budhdhey/Budhdhee se karke Biwee ka DiL
dukhaana...

---------------------------/---------------/-------------------------------
Ghaarwaalon mein Aapas mein Mahabbat ka Nuskhaah
Pakey hue Khaaney par Awwal-Aakhir 1+1/ziyaadaah Martabaah koi bhee Duruud Shareef ke saath 1 Martaba Mukammal Surah Faatiha Padhkar Dum kar dijiye, in sha ALLAH Ghaarwaalon mein Aapas mein Mahabbat Paidaah hongee....
---------------------------/------------/--------------------------
Har Musibat se Nijaat ka
Anmool Nuskhaah
Awwal-Aakhir 1/ziyaada baar Duruud ke Saath
ye Aayaat e Karima Padhkar DuAa karo :
Anmool Nuskhaah
Awwal-Aakhir 1/ziyaada baar Duruud ke Saath
ye Aayaat e Karima Padhkar DuAa karo :
Laa ilaa ha illa Anta Subhaa-naka
inni Kuntu Minaz-Zaalimeen
inni Kuntu Minaz-Zaalimeen
Surah (No.21) Ambiya Aayaat No.87 (21:87)
Mafhumi Tarjama :Nahee hai koi mAabud ALLAH (ke siwaa aur) Tu ALLAH Paak hai (aur) mai Zulm karney walon mein se hu.
Flash Back : ye Wazeefa Aaj ka Sabaq No. 354 mein bhi bataya tha.
Flash Back : ye Wazeefa Aaj ka Sabaq No. 354 mein bhi bataya tha.
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
---------------------------/--------------/------------------
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
-------------------------/-------------------/----------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-175
Huquq ul Ibaad/Human Rights -163
Khush DiLee - Ijaazat !!
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Batayaa tha ke Kuch log Rishwat lekar, Dhokha dekar Rozee kamatey hai toa Kuchh log logon kee Buraae karke aur Khudko Achchhaa Saabit karke Shohrat Kamaatey hai aur Uuchaae haasil karte hai ye Tamaam Kaam Gunaah hai aur Logon kee Haq Talfee hai !! Haraam se Khaaee huee Geeza ke Badle Dozakh kee aag khaani Padengee aur Haraam kamaaee se Pahene hue Libaas ke Badle Aag ka Libaas Pahenna Padenga !!
Aage Padhiye...
Mafhum e Hadees :
• Tum mein se koi Shakhs Apney saathee ya Dost ka Samaan (Bila Ijaazat) Naa Mazaaq mein le (kar chhupaaye) aur Naa Sanjidagee mein (esteemaal ke liye) le !!
• Kisi bhee Musalmaan (yaa koi bhee Insaan ka) koi Maal uuskee Khush DiLee ke bagair Dusrey ke liye Halaal Naheen !!
Tashreeh : Pehlee Hadees mein Maazaaq aur sanjidgee ka Lafz aaya hai aur Dusree Hadees mein Khush DiLee ka Lafz hai, dono mein Ijaazat ka Lafz Nahee hai yaanee Dusrey ke Samaan ko Bilaa Ijaazat lena Haraam hai aur ye bhee hai ke Maalik e Samaan agar Muruwat mein Ijaazat de de lekin Khush DiLee se Ijaazat Naa de toa bhee uus Samaan ko lena, uuska Istemaal karna ya uusko Apney Qabze mein rakhna bilkul bhee Durast Nahee !!

Waakiya :
Saahib ul Bayaan ul QurAan, Hakim ul Uummat aur Mujaddeed e Millat Hazrat Mavlaanaa Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ke UusTaaz ne ek dukaan par Samaan ka Savdaah kar liya, Paisey detey Waqt Aur Ek Sahib Dukaan par aa gaye jo DukaanDaar aur UusTaaz ko jaantey thea, Uunhoney UusTaaz ka Taaruf karwaya aur Riyaayat kee Darkhwaast kee lekin UusTaaz ne Qubuul Nahee kiya aur jo Qeemat mein Savdaah tay hua tha wohee Qeemat Ada kee kyuke Savdaah ho jaaney ke baad DukaanDaar Khush DiLee se Kam Paisey Naheen leta, Muruwat mein leta ye UusTaaz ko Pata tha !!
Point....Nukta....
Insaan kitna bhee MaalDaar ho lekin kisiko Khush DiLee se Car/Bike Istemaal ke liye Naheen deta esliye aisee Cheez kee Ijaazat lena bhee Durast Nahee !!
Bombay ke Ek DeenDaar cum MaalDaar Saahib 1+1 Puraanee Extra Car+Bike esliye Rakhtey hai Kyuke jab bhee koi Car/Bike uudhaar maangney aaye toa uusey mana karna Naa padey aur Khush DiLee se Extra Car/Bike de sakey !!

----------------------/--------/--------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
--------------------/----------------------/---------------------
Post a Comment