****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-858****
Avrat ka Kiin ke liye Jaiz Tareeqeh se
Banav-Singaar karna jaiz hai ??
Banav-Singaar karna jaiz hai ??
• Avrat ka Sirf Apney Shohar ke liye hee Jaiz Tareeqeh se Banav-Singaar karna jaiz hai !!
• Avrat ka Apney Shohar ke liye NaaJaiz Tareeqeh se Banav-Singaar karna Naajaiz hai !!
• Aksar Avratey Shaadee-Bihaah-Waleemaah mein Fully Make-Up karke jaatee hai lekin uunhe ye Samajhna chaaheeye ke Avrat ka Sirf Apney Shohar ke Ilawaa kisee aur Mard ko Dikhaane ke liye Banav-Singaar karna Naajaiz hai !!
---------------------------/-------------------/-----------------
Pehle Kalme aur ALLAHU AKBAR ki Azeem Fazilatey
Ek Martaba :
Ek Martaba :
Laa ilaaha il-lal Laah
Kahne par Favran bina Ruke ye Kalma Arsh par Pahoch jata hai...
Ek Martaba :
Ek Martaba :
ALLAHu Akbar
Kahne par Aasmaan aur Zameen ke Darmiyaan ka Hissa Nuur aur Ajr se bhar jaata hai...
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
------------------------------/------------------/--------------
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
---------------------------------/------------------/----------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-174
Huquq ul Ibaad/Human Rights -162
Rishwat Lekar, Dhokha Dekar aur Dusrey kee Buraaee Karke
Kamaaee huee Rozee Logon kee Haq Talfee hai !!
Kamaaee huee Rozee Logon kee Haq Talfee hai !!
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Batayaa tha ke Tavraat aur Injeel mein RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم kee dusree Sifaat ke saath ye Chaar Sifaat bhee Bataayee hai : 1) Naa Faaeesh honge...2) Naa MutaFaaeesh honge...3) Naa Baazaaron mein Shoor machaaney wale honge...4) Muaafee aur Darguzar se Kaam lenge
Aage Padhiye...
Kuch log Rishwat lekar, Dhokha dekar Rozee kamatey hai toa Kuchh log logon kee Buraae karke aur Khudko Achchhaa Saabit karke Shohrat Kamaatey hai aur Uuchaae haasil karte hai ye Tamaam Kaam Gunaah hai aur Logon kee Haq Talfee hai !!
Haraam se Khaaee huee Geeza ke Badle Dozakh kee aag khaani Padengee aur Haraam kamaaee se Pahene hue Libaas ke Badle Aag ka Libaas Pahenna Padenga !!
Point....Nukta....
Rishwat - Dhokha Dekar Haraam Rozee Haasil karne wala Dusro ko Takleef toa Pahochata hee hai Saath mein Khudke Dozakh mein jaane ka Sabab bhee banta hai aur Apney Ghar Walon ke liye bhee Nuqsaan/Ruswaaee ka Sabab banta hai !
------------------------------/----------------/---------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
--------------------/-------------------/------------;;;;;;-------
Post a Comment