****Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-857***"
Roz e Qayaamat mein Kiin Avrat kee Taraf
ALLAH Nazar uuthakar Bhee Naheen Dekhenga !!
ALLAH Nazar uuthakar Bhee Naheen Dekhenga !!
Mafhum e Hadees :
Roz e Qayaamat mein Shohar Kee NaaShukar Guzaar Avrat kee Taraf ALLAH Nazar uuthakar Bhee Naheen Dekhenga !!
(Nasaaee Shareef)
(Nasaaee Shareef)
-------------------------/------------------/----------------
Arsh ko uuthhaney wale 4 + 4 Farishton ki Tasbeeh
Dauraan Safar e Mearaaj Jab Arsh par ALLAH ke saamne RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne ALLAH ko Sajdaah kiya toa Dekha ke Arsh e Ilaahi ko uuthaaye hue 4 Farishtey Dhimi aur Bahoot achchhee Aawaaz mey Tarannum (melody) ke saath ye Tasbih padh rahe hai :-
Dauraan Safar e Mearaaj Jab Arsh par ALLAH ke saamne RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ne ALLAH ko Sajdaah kiya toa Dekha ke Arsh e Ilaahi ko uuthaaye hue 4 Farishtey Dhimi aur Bahoot achchhee Aawaaz mey Tarannum (melody) ke saath ye Tasbih padh rahe hai :-
Subhaa na KALLAAHumma wabi Hamdika Lakal Hamdu A’laa Hilmika Ba’Ada Il’mik...
Tarjama : aye ALLAH!, Teri paak zaat hi ke liye har tarah ki TaAreef hai ke Tu Bawajud I’lm ke Burdbaari aur Hilm karta hai...
Dusri Hadees ke Mafhum ke Mutabiq Roz e Qayaamat Arsh ko uuthaaney dusre (extra) 4 Farishtey bhi Shamil ho jaayenge jo ye Tasbih padhenge...
Subhaa na KALLAAHumma wabi Hamdika Lakal Hamdu A’laa Afwika Ba’Ada Qudratika...
Tarjama : aye ALLAH!, Teri paak zaat ke liye hi hai har TaAreef ke Tu Qudrat ke baaWajuud Muaafi aur Darguzar karta rahta hai...
Sajdeh ke baad ALLAH aur RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ke Darmiyaan bahoot saari baatey BilaWaasta (face to face) hue...
Sajdeh ke baad ALLAH aur RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم ke Darmiyaan bahoot saari baatey BilaWaasta (face to face) hue...
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
----------------------/----------------/-----------------------
Note : Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
---------------------------/-----------------/----------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-173
Huquq ul Ibaad/Human Rights -161
Naarmee aur Laanat !!
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Batayaa tha ke Hadees ki 3 Baaton kee Tafseer/Details Gujishta kal Aaj ka Sabaq mein bayaan kee Gayee thee, Aakhri Baat ye hai ke Muameen Kisee se BadGooee Naheen karta yaanee Kisee ke Saath Naa BadAkhlaaqee se Pesh aata hai Naa BadKalaamee karta hai...Naa Gaalee Deta hai Naa Kisee ko Taanaa deta hai Naa Kisee ko Burey Laqabo ke zariye Pukaarta hai Naa Kisee kee Buraaee-gheebat karta hai Naa Kisee par Jhuth Baanthta hai Naa Kisee par Tohmat-bohtaan lagata hai Naa Kisee par Zulm Karta hai Naa Kisee ko Satata hai Naa Kisee ka Haraam Maal khata hai naa zina karta hai Naa Chori karta hai Naa Bewaquf banata hai Naa Kisee ke saath Mazaaq karta hai Naa Jhuth Bolta hai Naa BadNazree karta hai Naa Kisee ko Adna Darje ki Takleef deta hai....
Aage Padhiye...
Mafhum e Hadees :
Narmee jis (Insaan) mein hongee wo Narmee uus cheez (Insaan) ko Zeenat (Khubsurtee) Bakhshengee aur Jis Cheez se Narmee ko Khatam kar diya jaayenga wo uusko AebDaar bana denga !!
(Muslim Shareef/Raavee Hazrat Sayyeedaah Maa Aaisha Siddeeqaah razee.)
Aur Ek Hadees ke Mafhum ke Mutaabiq Jab ek insaan Dusrey Insaan par Laanat karta hai toa Pehley wo Laanat Aasmaan kee taraf jaatee hai aur Phir wo Laanat uus Shakhs kee taraf aatee hai jispar Laanat bheji gayee hai, agar wo Laanat ka Mustaheeq hota hai toa uusko wo Laanat lag jaatee hai aur agar wo Laanat ka Mustaheeq Naheen hota toa wo Laanat uus Shakhs par jaakar lag jaatee hai jisne Laanat kee thee !!
Point....Nukta....
Tavraat aur Injeel mein RasulALLAH صلی اللہ علیہ وسلم kee dusree Sifaat ke saath ye Chaar Sifaat bhee Bataayee hai :
1) Naa Faaeesh honge...
2) Naa MutaFaaeesh honge...
3) Naa Baazaaron mein Shoor machaaney wale honge
4) Muaafee aur Darguzar se Kaam lenge ....
1) Naa Faaeesh honge...
2) Naa MutaFaaeesh honge...
3) Naa Baazaaron mein Shoor machaaney wale honge
4) Muaafee aur Darguzar se Kaam lenge ....
-------------------------/-----------------/-------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
----------------------;;;----------_----;;;-----------------;;;;-----
Post a Comment