**** Aaj ka Sabaq No. MYP-AKS-856 ****
** Raat Bhar Kin Aurat par Farishtey
Laanat Kartey Rahtey hai...??**
Laanat Kartey Rahtey hai...??**
Mafhum e Hadees :
Jab koi Miya Apnee Biwee ko (Halaal Bistar par) Apnee Zarurat ke liye Bulaaye aur Wo (Biwee bila koi jaiz uzr ya Bimaari/ Jismaanee Taklee Naa hotey hue bhee Apney Miya ke Paas Halaal Bistar par) Naa aaye aur es bina par Miya Raat bhar uus (Biwee) se Khafa rahey toa Aisee Avrat (Biwee) Par Subah tak Farishtey Laanat kartey rahtey hai !!
(Bukhaaree Shareef)
-------------------------/--------------/---------------------;;-
~ Majlis se uuthte waqt ki Nabwee DuAa ~
Sub-haa-na-kALLAHumma wabi Hamdika
Ash-ha-du-allaa ilaa ha illa Anta Astag-firuuka wa Atuubu ilayka...
Ash-ha-du-allaa ilaa ha illa Anta Astag-firuuka wa Atuubu ilayka...
Flash Back : ye Anmool DuAa Aaj ka Sabaq No.512_MYP aur Aaj ka Sabaq No.732_MYP mein bhi batayee gayee thee)
Composition Approved by / Tasdeekshuda :
Hazrat Mufti Abdul Qayyum (sb db.) Bin Hazrat Mavlana AbdurRasheed Ajmeri sb db.Raandair, Surat, Gujarat, India.
--------------------------/-----------------/-------------------
Note :
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
Aaj ka Sabaq ki Simaaet (audio) aur Aqs e Barqee (electronic image) mein Quraan ki Aayaat aur Hadees ka Mafhumi (gisty) Tarjama bataya/likha jata hai lihaza Lafzee-Word by Word Tarjame aur mukammal Tafseel-Tafseer ke liye Hakim ul Uummat-Mujaddeed e Millat Hazrat Shah AshrafAlee Sahib Thaanvee rh ka Bayaan ul QurAan, Hazrat Mufti Shafee Sahib Deobandi rh ka mAareef ul QurAan aur Hazrat Manzur Noomaani rh ka mAareef ul Hadees ka mutaala kijiye.
--------------------------------/-----------/-----------------
AAJ KA SABAQ No. MAL-AKS-172
Huquq ul Ibaad/Human Rights -160
MuameenMirror--Sifaat e Muameen
Aaj Ka Sabaq mein Hazrat Mufti Asif Laapuri sb db ne Gujishta kal ye Mafhum e Hadees Batayee thee ke Muameen ka (ye) kaam Naheen (hai) ke : Kisee ko Taanaa de..., Kisee ko Laanat karey...,Kisee se Fahash (Gaalee) Baat karey..., Kisee se BadGooee karey...Aage Padhiye...
Aage Padhiye...
Hadees ki 3 Baaton kee Tafseer/Details Gujishta kal Aaj ka Sabaq mein bayaan kee Gayee thee, Aakhri Baat ye hai ke Muameen Kisee se BadGooee Naheen karta yaanee Kisee ke Saath Naa BadAkhlaaqee se Pesh aata hai Naa BadKalaamee karta hai...Naa Gaalee Deta hai Naa Kisee ko Taanaa deta hai Naa Kisee ko Burey Laqabo ke zariye Pukaarta hai Naa Kisee kee Buraaee-gheebat karta hai Naa Kisee par Jhuth Baanthta hai Naa Kisee par Tohmat-bohtaan lagata hai Naa Kisee par Zulm Karta hai Naa Kisee ko Satata hai Naa Kisee ka Haraam Maal khata hai naa zina karta hai Naa Chori karta hai Naa Bewaquf banata hai Naa Kisee ke saath Mazaaq karta hai Naa Jhuth Bolta hai Naa BadNazree karta hai Naa Kisee ko Adna Darje ki Takleef deta hai....
Point....Nukta....
Hum khudhee Uupar walee Muameen ki Sifaat ke Ainey mein Apney Aapko dekhenge toa Humey Khud Apney aap se Nafrat Paidaah ho jaayenge aur khudko Muameen kahney Sharm mahsus hongee....
--------------------------------/-----------/-------------------
RaDd e MudDaaee: Sabaq ki Simaaet (audio) ki Aham Baaton ko is Parchey (pamphlet) mein shaameel karney ki har mumkeen koshish ki gayee hai Phir bhi is Parchey (pamphlet) ke Aq’s e Barqi (electronic image) se Ilm haasil karney se Pehle ya Baad mey Sabaq ki Simaaet (Audio) sunney ki Raaey hai...
Disclaimer : Every effort has been taken to transcript the intact data from Audio of the Sabaq, and framing it in a Electronic Image of the Pamphlet, but further more it is recommended to listen the Audio of the particular Sabaq before or after acquiring scholarship by this Pamphlet..
-----------------------/-------------------/----------------------
Post a Comment